Adultery Bungalow No. 13

  • Thread starter


Update 1

Main Peshe se ek wakeel hoon. Naam Ishaan Ahmed, umar 27 saal, kad 6 foot, rang gora. Law college mein har koi kehta tha ke main kaafi handsome hoon. Kaise ye mujhe ab tak samajh nahi aaya kyunki meri zindagi mein ab tak kabhi koi ladki nahi aayi. Main shehar ke us ilaake mein rehta hoon jahan sabse zyada ameer log hi baste hain. Nahi ghar mera nahi hai. Kiraye par bhi nahi hai. Bas yun samajh lijiye ke mere yahan rehne se us ghar ki dekhbhaal ho jaati hai isliye main yahan rehta hoon.
Meri maali halat kuchh zyada theek nahi hai. Badi mushkil se law college ki fees bhar paaya tha. Jaise taise karke apne law ki padhai poori ki aur practice ke liye sheher chala aaya. 3 saal se yahan hoon par ab tak koi khaas kaamyabi haath nahi aayi par main mayus nahi hoon. Abhi to poori zindagi padi hai.Par ek din main kamyaab zaroor kehlaoonga, ye bharosa poora hai mujhe apne uper.
Jis ilaake mein main rehta hoon yahan shuru se aakhir tak vahi log baste hain jinke paas andha paisa hai. Itna paisa hai ke vo saari zindagi bethkar khaayen to khatam na ho. Bade bade ghar, unke saamne bane shandaar gardens, saaf suthri sadak. Colony ke theek beech mein ek park bana hua tha jiske chaaron taraf takreeban 6 foot ki iron ki fence bani hui thi.
Par is saari khoobsurati mein ek daag tha. Bungalow No 13. Us poore ghar par uper se neeche tak dhool chadhi hui thi. Khidkiyan gandi ho chuki thi jinpar maine aaj tak koi parda nahi dekha tha. Ghar ke saamne garden to kya ek flower pot tak nahi tha. Paint utar chuka tha. Ghar ke saamne jaane kabse safai nahi hui thi aur kaafi kachra jama ho gaya tha. Ghar ka darwaza dekhne se aisa lagta tha ke bas abhi gir hi jaayega. Ghar ka haal aisa tha ke hamare desh ke mash-hoor bikhaari bhi us ghar mein bheekh mangne nahi jaate the.
Us ghar ke baare mein kahaniyan kuchh aisi thi ke koi bhi usmen rehne ke khyaal se hi kaanp uthta tha. Us ghar ke baare mein log baaten bhi itni khamoshi se karte the ke jaise kisi ne sun liya to unpar museebat aa jaayegi. Kaha jaata tha ke us ghar par kaala saaya hai aur koi bhatakti aatma us ghar mein niwas karti hai aur isi vajah se pichhle 20 saal se us ghar mein koi reh nahi paaya tha. Kuchh in kahaniyon ki vajah se, kuchh akelepan, kuchh purani khasta halat ki vajah se us bungalow ko bhoot bungalow ke naam se jaana jaane laga tha. Iske kisi ek kamre mein bahut pehle ek khoon hua tha aur kaha jaatha ke usi din se is bungalow mein usi ki aatma bhatakti hai jiska khoon hua tha. Dekhne walo ka kehna tha ke unhone aksar raat ke waqt ek roshni ko bungalow ke ek kamre se doosre kamre mein jaate dekha tha aur kayi baar kisi ke karahne ki aawaz bhi suni thi. Safed saree mein lipti hui ek aurat ko us ghar mein bhatakte hue dekhne ka dawa bahut saare log karte the.
In kahaniyon mein kitna sach tha ye keh pana bahut mushkil tha par jabki vo ghar bahut hi kam kiraye par mil raha tha koi bhi insaan usmen rehne ko raazi nahi tha. Vo ghar poore sheher mein dheere dheere mash-hoor ho gaya tha. Jo us ghar mein rahega vo maara jaayega aisi baat har kisi ke dimag mein beth chuki thi. Aur ek saal garmi ke mausam mein ye saara bhram us din khatam ho gaya jab Mr. Bhairav Manchanda us ghar mein rehne aaye. Vo koi 70 saal ke dikhne mein ek sidhe saade se aadmi lagte the. Koi nahi janta tha ke vo kahan se aaye the par Bungalow No 13 unhone kiraye par liya aur us ghar ki hi tarah khud bhi ek akelepan se bhari zindagi vahan jeene lage.

Shuru shuru mein to baat yahi chalti rahi ke bhoot bungalow mein rehne wala insaan ek hafte se zyada nahi tik paayega par jab dheere dheere ek hafta 6 mahine mein badal gaya aur Mr Manchanda ne vahan se nahi gaye to logon ne bhoot bungalow ke bhoot ko chhodke unke baare mein hi baaten shuru kar di. Bahut thode waqt mein bungalow aur bhoot ki tarah unke baare mein bhi kai tarah ki ajeeb ajeeb kahaniyan sunayi jaane lagi.
Aisi kayi kahaniyan maine apne ghar ke malik ki biwi se suni jo aksar mujhse milne aaya karti thi ya yun kahun ke ye dekhne aati thi ke main ghar se kuchh churakar kahin bhaag to nahi gaya. Vo mujhe bataya karti thi ke kaise Mr Manchanda us ghar mein akele pade rehte hain, kaise vo kisi se baat nahi karte, kaise unhen dekhne se ye lagta hai ke unke paas bhi bahut sa paisa hai, kaise vo aksar raat ko sharab ke nashe mein ghar aate dekhe gaye hain aur kaise vo kaam wali bai jo aksar din ke waqt bhoot bungalow mein jaakar kabhi kabhi safai kar deti thi ab vahan nahi jaati kyunki use lagta hai ke Mr Manchanda ke saath kuchh gadbad hai.
In sab baaton par maine kabhi koi dhyaan nahi diya. Mera saara dhyaan to bas is baat par rehta tha ke main kaise apni zindagi mein kaamyabhi hasil karun. Aur isi sab ke beech ek din meri Mr Manchanda se mulaqat hui. Vo mulaqat bhi badi ajeeb thi.

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 2

November ki ek raat main late night show dekhkar akela ghar laut raha tha. Charon taraf gehra Kohra tha. Sheher ki sadkon par har gaadi ki speed dheemi ho gayi thi aur kyunki vo ilaaka jahan main rehta tha, Kalp Residency, pedon se ghira hua tha vahan kohra kuchh zyada hi gehra tha. Main colony ke gate se andar dakhil hua to ek kadam bhi aage badhana mushkil ho gaya. Main yahan pichhle 2 saal se tha isliye sadak ka andaza lagata hua apne ghar ki taraf badha. Kyunki sadap par lage lamp post ki roshni bhi neeche sadak tak nahi pahunch pa rahi thi isliye maine sadak ke dono taraf bane railing ka sahara lena theek samjha. Railing ka sahara leta main dheere dheere aage badha. Sardi itni zyada thi ke ek bhaari jacket pehne hue bhi main sardi se kaanp raha tha.
Main dheere dheere andaza lagate hua apne ghar ki taraf badh hi raha tha ke saamne se ek bhaari aawaz ne mujhe chaunka diya.
"Kaun hai?" Maine rukte hue puchha
"Ek khoya hua insaan" Phir vahi bhaari aawaz aayi "Ek bhatakti aatma jise bhagwaan maaf karne ko taiyyar nahi hai"
Main uper se neeche tak jam gaya. Dhyaan se dekha to saamne ek saaya kohre ke beech khada tha. Uske dono haath sadak ke kinare bani railing par the aur usne jhuk kar apna chehra bhi apne haath par rakha hua hua. Maine dheere se aage badhkar us aadmi ke kandhe par haath rakha par vo vaise hi jhuka khada raha. Apna sar apne haathon par rakhe aise rota raha jaise kisi baat par pachhta raha ho. Aawaz mein dard saaf chhalak raha tha.
"Kya hua? Kaun hain aap?" Maine kandhe par apne haath ka dabav badhate hue puchha
"Sharab" Us aadmi ne vaise hi jhuke hue kaha "Main ek sabak hoon har us insaan ke liye jo nasha karta hai, vo insaan jo apni zindagi ko seriously nahi leta, har vo insaan jo rishton ki kadar nahi karta, vo zindagi jo apni samajh nahi paata. Main ek sabak hoon un sabke liye"
"Aapko ghar jaana chahiye" Maine kaha
"Mil hi nahi raha" Us aadmi ne kaha "Yahin kahin hai par kahan hai samajh nahi aa raha. Mujhe pata hi nahi ke main kahan hoon"
"Aap is waqt Kalp Residency mein hain" Mera haath ab bhi us aadmi ke kandhe par tha aur vo ab bhi vaise hi jhuka hua tha.
"Bungalow No. 13" Vo aadmi sidha hua "Is kohre mein Bungalow No. 13 nahi mil raha. Vahan jana hai mujhe"
"Ohhhhh" Maine us aadmi ko sahara diya "Mere saath aaiye Mr Manchandha. Main aapko ghar tak chhod aata hoon"
Jaise hi unka naam mere zubdaan par aaya vo fauran 2 kadam pichhe ko ho gaye aur meri taraf aise dekhne lage jaise mujhe pehchanne ki koshish kar rahe hon. Aankhen sikudkar mere chehre ki taraf ghoorne lagi.
"Kaun ho tum?" Mujhse sawal kiya gaya "Mujhe kaise jante ho?"
"Mera naam Ishaan Ahmed hai. Yahin Kalp Residency mein hi rehta hoon. Aapne Bungalow No 13 ka naam liya to main samajh gaya ke aap hain, Mr Manchanda, Bungalow ke kirayedaar" Maine jawab diya
"Bungalow ka bhoot kaho" Unhone mere saath kadam aage badhaye "Jiski halat bhoot se bhi zyada buri hai"
Bhoot se bhi zyada buri?" Maine unhen sahara dete hue kadam aage badhaye
"Mere gunahon ka sila bete. Main aaj vahi kaat raha hoon jo maine kabhi khud boya tha. Mere saath ..... "Achanak unhen zor se khaansi aayi aur baat adhuri reh gayi
Mujhe unki halat par kaafi taras aaya. Bungalow mein is haalat mein raat bhar unhen akela chhodna mujhe theek nahi lag raha tha par main is baat ke liye bhi taiyyar nahi tha ke bhoor Bungalow mein main unke saath poori raat ruk jaoon.
"Kahan le ja rahe ho mujhe" Unhone sawal kiya
"Aapke ghar" Maine jawab diya
"Tum un logon mein se to nahi ho na?" Unhone phir mere chehre ki taraf dekhte hue sawal kiya
"Kin logon mein se Sir?" Maine sawal ka jawab sawal se diya
"Vahi jo mujhe nuksaan pahunchana chahte hain" Jawab aaya
Mujhe lagne laga ke ye aadmi shayad pagal hai aur is waqt apne pichha chhudane mein hi samajhdaari thi isliye maine bahut hi aaram se unki baat ka jawab diya, behad pyaar se.
"Maine aapko koi nuksaan nahi pahunchana chahta Mr Manchanda."
Dheere dheere ham Bungalow No 13 tak pahunche.
"Mera khyaal hai ke aapko fauran so jana chahiye" Maine unhen darwaze par chhodte hue kaha.
"Jana mat. Mujhe akele andar jaate hue dar lagta hai. Kitna andhere hai, kitni sardi, kitni khamoshi" Unhen phir se mera haath pakad liya " Ruko thodi der jab tak ke main roshni ka intezaam nahi kar leta"
Tab mujhe dhyaan aaya ke Bungalow mein light nahi thi. Kyunki vo itne saalon se veeran pada tha isliye vahan ka electricity connection hata diya gaya tha aur pichhle 6 mahine se Manchanda us ghar mein bina electricity ke reh raha tha.
"Theek hai main aapko andar tak chhod deta hoon" Maine kaha aur jeb se lighter nikalkar jalaya. Bungalow ke saamne bane garden se andhere mein hote hue main unhen lekar bungalow ke darwaze tak pahuncha. Andhere mein us ghar ko dekhkar main samajh gaya ke kyun usko Bhoot Bungalow ke naam se pukarte hain. Gehri khamishi aur kohre ke beech khada vo makaan khud bhi kisi bhoot se kam nahi lag raha tha. Charon taraf sirf hamare kadamon ki aahat hi sunai pad rahi thi. Meri dhadkan tez ho chuki thi aur main khud bhi kaanp raha tha. Kuchh sardi se aur kuchh dar se.
Manchanda ne dawaza khola aur andar dakhil ho gaye jabkimain vahin bahar darwaze par khada raha. Vo mere haath se lighter le gaye tha isliye main andhere mein khada hua tha. Thodi der baad andar table par rakha hua ek lamp jal utha aur charon taraf kamre mein roshni ho gayi.
Maine ek nazar kamre mein daali. Lamp ki halki roshni mein jo nazar aaya use dekhkar lagta nahi tha ke main kisi bhoot bungalow mein dekh raha tha. Maine Manchanda ki taraf nazar daali par halki roshni mein chehra nahi dekh paya.
"Main chalta hoon" Maine apna lighter bhi vapis nahi liya aur kadam pichhe hataye
"Good Night" Andar se sirf itni hi awaz aayi.
Main bungalow se jaldi jaldi nikalkar apne ghar ki taraf badha. Ye thi meri aur Mr Manchanda ki pehli mulaqat.

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 3

Meri makan malkin ek aisi aurat thi jiski hamare desh mein shayad koi kami nahi. Ek gharelu aurat jo uper se to ekdam sidhi saadi si dikhti hain par dil mein hazaron khwahishen dabaye rakhti hain. Mrs Rukmani Sudarshan koi 40 saal ki thi. Rang gora aur chehra khoobsurat kaha ja sakta tha.Pehle uske is ghar mein mere siwa aur koi nahi rehta tha. Vo aur uska pati sheher mein bane unke ek doosre ghar mein rehte the jo hospital se nazdeek padta tha. Mr Sudarshan ki tabiat kaafi kharab rehti thi jiski vajah se unhone apni zindagi ke aakhri 10 saal bistar par hi guzare the. Unke guzar jaane ke baad Rukmani ne vo ghar bench diya aur yahin is ghar mein mere saath shift kar liya tha.
Uske chehre ko nazdeek se dekhne par unki umar ka andaza hota tha par jism se vo kisi 20-22 saal ki ladki ko bhi maat deti thi. Vo apne bahut khaas taur par dhyaan rakhti thi. Achhe kapde pehenti thi aur mehengi jewellery uska shauk tha. Pati ke mar jaane ke baad use kuchh karne ki zaroorat nahi thi. Kaafi daulat chhod kar gaye the Mr Sudarshan apne pichhe. Unki koi aulad nahi isliye vo saara paisa Rukmani aaram se bethkar kha sakti thi. Vo zyadatar western outfits mein rehti thi aur tang kapdo mein uska jism alag hi nikharta tha. Apne jism par usne na to koi zaroorat se zyada maans chadhne diya tha aur na hi kahin umar ka koi nishan dikhai deta tha. Sach kahun to main shakal soorat se achha dikhta hoon is baat ka saboot bhi usne hi pehli baar mujhe diya tha.
Rukmani ko shayad ye ummeed thi ke is umar bhi uske sapno ka rajkumar aayega aur use apne saath le jayega. Vo isi ummeed par zinda bhi thi. Apne aapko ko har taraf se khoobsurat dikhane ki vo poori koshish karti thi aur shayad mujhmen use apna vo Rajkumar nazar aane laga. Shuru to sab halke hasi mazak se hua par na jaane kab vo mere kareeb aati chali gayi aur ham dono mein jismani rishta ban gaya. Ab haqeeat ye thi ke vo din mein to makan malkin hoti thi par raat mein mere bistar par meri premika ka role nibhati thi.
In sab baaton ke bavajood vo dil ki bahut achhi thi. Hamesha hasti rehti aur jis tarah se vo 24 ghante bolti rehti thi vo poore Kalp Residency mein mash-hoor tha. Har raat mera bistar garam karne ke bavajood bhi kabhi usne mujhpar koi hak nahi jataya tha aur na hi kabhi us raat ke rishte ko koi aur naam dene ki koshish ki thi. Main janta tha ke vo dil hi dil mein mujhe chahti hai par usne kabhi khule taur par kabhi aisa koi ishara nahi kiya aur na hi kabhi ye zahir kiya ke vo mujhse shaadi ki ummeed karti thi. Uske liye bas main uska sapno ka vo rajkumar tha jise vo shayad sapno mein rakhna chahti thi. Shayad darti thi ke agar us sapne ko haqeeqat ka roop dena chaha to shayad sapna bhi baaki na rahe.
Main uske ghar ke sabse bade kamre mein rehta tha aur kiraya usne mujhse lena band kar diya tha. Ulta vo meri har zaroorat ka aise khyaal rakhti jaise meri biwi ho. Subah mujhe jagana, nashta banana mere kapde theek karna aur raat ko phir se chupchap nangi hokar mere bistar par aa jana. Ye har roz ka routine tha. Na isse zyada kabhi usne kuchh kaha aur na hi maine. Vo shayad ek achhi biwi banti aur ek achhi maan bhi par waqt ne ye mauka diya hi nahi.
Use Kalp residency ke baare mein sab pata hota tha. Aksar khaane ke beech kiske yahan kya ho raha hai vo mujhe bataya karti thi. Aisa lagta tha jaise vo koi chalta phirta newspaper hai. Maine faisla kiya ke Manchanda ke baare mein agar koi mujhe bata sakta hai to vo Rukmani hi hai. Use jitna pata hoga usse zyada kisi ko pata nahi hoga. Main dil mein socha ke ek baar usse baat karun.
Us raat main nahakar bathroom se nikla to Rukmani mere kamre mein lage full length mirror ke saamne khadi baal theek kar rahi thi. Vo meri aur dekhkar muskurayi aur phir se apne baal banane lagi. Maine saamne khadi aurat ko uper se neeche tak dekha. Khidki ki taraf se aati halki roshni mein vo kisi bala se kam nahi lag rahi thi. Ek halki se kaale rang ki nighty pehni hui thi jo uske ghutno tak aa rahi thi. Roshni nighty se chhankar is baat ka saaf ishara kar rahi thi ke usne nighty ke andar kuchh nahi pehna hua tha. 36 size ki chhatiyan, patli kamar, uthi hui gaand us waqt kisi bhi mard ka dil uske munh tak le aate aur aisa hi mere saath bhi hua. Maine apne jism par lapeta hua towel utarkar ek taraf phenka aur poori tarah nanga hokar uske pichhe aa khada hua.
Mere kareeb aate hui usne comb neeche rakh diya aur apne pet par rakhe mere hathon ko apne haathon mein pakad liya. Mera khada hua lund nighty ke uper se uski gaand par ragad raha tha aur iska asar uspar hota saaf nazar aa raha tha. Dheere dheere uski saans bhaari ho chali thi. Maine haath thodi der uske pet par phirate hue uske gale ko choomna shuru kiya. Usne khud hi apna chehra meri taraf ghuma diya aur hamare honth ek doosre se mil gaye. Vo poore josh mein mere honth choom rahi thi aur mere haath ab uski chhatiyon tak aa chuke the. Nighty ke uper se main zor zor se uski chhatiyan daba raha tha aur pichhe se apna lund uski gaand par ragad raha tha.
Achanak vo poore josh mein palti aur betahasha mere chehre ko choomne lagi. Mera matha, mere gaal, honth, gardan ko choomte hue vo niche ki aur badhne lagi. Chhati se pet aur phir pet ke niche vo lund tak pahunchti pahunchti apne ghutno par beth gayi. Ab mera lund uske chehre ke theek saamne tha. Usne mere lund ko apne haath mein pakda aur nazar meri aur uthakar dheere dheere lund hilate hue muskurayi. Maine bhi jawab mein muskurate hue dheere dheere uski baalon ko sehlaya. Thodi der aise hi lund hilane ke baad usne apna munh khola aur mere lund ko aadha apne munh ke andar le liya.
"Aaaahhh Rukmani" Uske honth aur garam zubaan ko apne lund par mehsoos karte hi main karah utha.
Ye ek kaam vo bakhoobi karti thi. Lund aise choosti thi ke kai baar mujhe usko zabardasti rokna padta tha aur kai baar to main aise hi khatam bhi ho jata tha aur phir dobara lund khada hone tak rukna padta tha taaki use chod sakun. Apne munh aur haathon ki harkat ka aisi taal bithati thi ke lund sambhalna mushkil ho jata tha aur is baar bhi aisa hi ho raha tha. Mera lund usne jad se apne haath mein pakda hua tha. Jaise hi vo lund munh se nikalti to uska haath lund ko hilane lagta aur phir dheere se vo lund phir munh mein le leti.
Main janta tha ke agar maine usko roka nahi to vo mujhe aise hi khada khada khatam kar degi isliye maine lund uske munh se nikala aur usko pakadkar khada kiya. Khade hote hi usne phir mujhe choomna shuru kar diya aur maine bhi usi josh ke saath jawab diya. Uske honth choomte hue mere haath sarakte hue uski kamar tak aaye aur uski nighty ko uper ki aur khinchne lage. Vo bhi ishara samajh gayi aur haath uper kar diye. Agle hi pal uski nighty utar chuki aur ham dono poori tarah se nange khade the. Maine usko apni baahon mein uthaya aur bistar par lakar gira diya aur khud bhi uske saath hi bistar par aa gaya.
"Ohhhhh Ishaan" Jaise hi maine uska ek nipple apne munh mein liya vo karah uthi. Mere ek haath uski doosri chahti ko daba raha tha aur doosre haath ki 2 ungliyan uski choot ke andar thi.
"Ishaannnnn " Vo baar baar mera naam le rahi thi aur haath se mera lund hila rahi thi. Aankhen dono band kiye hue vo mere haath ke saath saath apni kamar hila rahi thi. Main baari baari se kabhi uske nipple choosta aur kabhi dheere se kaat leta.
"Ab ruka nahi jata.... Plzzzz " Usne karahte hue kaha aur mujhe pakadkar apne uper khinchne lagi. Main bhi ishara samajh kar uske uper aa gaya. Rukmani ki dono taange mudkar hawa mein uper ki taraf ho chuki thi aur choot khulkar mere saamne thi. Usne ek haath se mera lund pakda aur choot par rakh diya. Maine halka dhakka lagaya aur dheere dheere mera lund uski choot ke andar dakhil ho gaya.
"Aaaaahhhhhh " Vo ek baar phir zor se karahi aur neeche se kamar hilati hui mere saath ho chali.
"Bungalow No 13 ke baare mein aap kya janti hain?" Maine uski choot par zor zor se dhakke marte hue kaha
"Haan?" Usne chaunkte hue apni aankhen kholi aur meri taraf dekha. Maine ek dhakka zor se maara to usne phir karah kar apni aankhen band kar li
"Bungalow No 13. Aap janti hain kuchh uske baare mein?" Mera lund lagatar uski choot mein andar bahar ho raha tha.
Usne haan mein sar hilaya
"Kya?" Maine phir sawal kiya
"Sab kuchh" Vo niche se apni kamar hilate hue boli " Bhoot bungalow hai vo. Ek aatma niwas karti hai vahan. Par aap kyun puchh rahe ho? Vo bhi is waqt?"
"Aatma?" Maine uske sawal ka jawab diye bina kaha "Kaun Manchanda?"
Meri baat sunkar vo has padi aur usne apni aankhen kholi
"Mera vo matlab nahi tha. Vo bechara to abhi zinda hai par hai ajeeb aur usse bade ajeeb aap ho jo is waqt aisi baaten kar rahe ho" Usne mere baal sehlate hue kaha
Maine lund bahar nikalkar poore zor se ek dhakka maara aur phir andar ghusa diya. Uski aankhen phel gayi
"Aaaahhh. Dheere Ishaan. Maar hi daaloge kya?"
"Ajeeb kyun hai Manchanda?" Maine muskurate hue puchha
"Ajeeb hi to hai" Rukmani boli "Kahan se aaya hai koi nahi janta. Na kisi se milta hai, na baat karta hai na kisi ko kuchh batata hai"
"To ismen ajeeb kya hai?" Main uska ek nipple apne munh mein lete hue bola "Agar koi akela khamoshi se rehna chahta hai to ye uski marzi hai"
"Khamosh vo rehte hain jine paas chhupane ko kuchh hota hai" Rukami apne nipple mere munh mein aur andar ko ghusate hue boli "Aur jis tarah se vo Manchanda rehta hai usse to lagta hai ke ya to vo koi chor hai, ya koi gunda ya koi khooni"
"Aur aisa kis bina par keh sakti hain aap?" Maine uska ek nipple chhodkar doosra munh mein liya aur choosne laga. Neeche lund ab bhi choot mein andar bahar ho raha tha

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 4

Mere is sawal par vo bhi khamosh ho gayi. Shayad samajh nahi aaya ke kya jawab diya. Phir thodi der baad boli
"Vo us bhoot bungalow mein rehta hai"
"To kya hua?" Maine choot par dhakko ki speed badhate hue kaha "Koi kahan rehna chahta hai ye uski apni marzi hoti hai
"Aise ilaake mein jahan itne achhe gharon ke log rehte hain vahan is andaaz mein rehne ka koi hak nahi hai Mr Manchanda ko. Vo jis ghar mein rehta hai us ghar tak ki fikar nahi hai usko. Sirf 2 kamre saaf karva rakhe hain. Ek bedroom aur ek drawing room.Baaki kamre aise hi gande pade rehte hain. Aur vo bai jo vahan kaam karne jaati hai kehti hai ke sharab bahut peeta hai aapka vo Manchanda. Khana bhi hotel se mangata hai. Na vo newspaper padhta, na hi uska koi letter aata, na vo kisi se milte, saara din bas ghar mein pada rehta hai aur raat ko ullu ki tarah bahar nikalta hai. Ab aap hi batao ke koi uske baare mein kya soche?"
"Ho sakta hai vo akela rehna chahta ho" Maine kaha to Rukmani inkaar mein sar hilane lagi.
Uski is baat par maine uske ek nipple par apne daant gada diye. Vo zor se karahi aur mere sar par halke se ek thappad maar diya.
Ismen galat kya hai?" Maine phir sawal kiya
"Shayad nahi hai par phir usse milne jo lag aate hain vo kahan se aate hain?" Rukmani ki ye baat sunkar maine dhakke maarne band kiye aur lund choot mein ghusaye uski taraf dekhne laga.
"Kya matlab?" Maine puchha
Matlab ye ke usse milne kuchh log aate hain par vo saamne ke darwaze se nahi aate. Bungalow mein ek hi darwaza hai saamne ki taraf aur uske theek saamne police chowki hai jahan ek policewala 24 ghante rehta hai."
"Haan to?" Maine uski ek chhati par haath phirata hua bola
"To ye ke us policewale ne Manchanda ko hamesha akele hi dekha hai. Vo hamesha akele hi ghar ke andar jaata hai par raat ko us policewale ne aksar ghar ki khidki se 2-3 logon ke saaye dekhe hain. Ab aap hi batao ke vo kahan se aate hain"
"Shayad pichhe ke darwaze se?" Hamari chudai ab poori tarah ruk chuki thi
"Nahi. Bungalow mein pichhe ki taraf koi darwaza hai hi nahi. Pichhe ki taraf ek yard bana hua hai jiske chaaron taraf fence lagi hui hai. Bungalow mein jaane ke liye saamne ke darwaze se hi jaana padta hai par jo koi bhi us aadmi se milne aata hai vo darwaze se nahi aata" Rukmani ek saans mein boli
"Shayad din mein aaye hon" Maine sochte hue kaha
"Nahi. Vahan 2 hi policewalon ki duty lagti hai. Kabhi ek din mein hota hai to kabhi doosra raat mein. Shift change karte rehte hain aapas mein. Aur un dono mein se kisi ne bhi kabhi kisi waqt kisi ko bungalow mein jaate nahi dekha. Pata kiya hai maine" Rukmani bhi ab mere niche nangi padi hone ke bavajood chudai chhodkar Bungalow ke baare mein khulkar baat kar rahi thi.
"To ho sakta hai ke Manchanda ke saath koi aur bhi rehta ho vahan" Maine phir sochte hue kaha
"Bilkul nahi. Us ghar ko usne akele hi kiraye par liya hai aur koi nahi hai vahan. Is baat ka saboot hai vo kaam karne wali bai jo aksar safai ke liye bungalow mein jaati hai. Usne us Manchanda ke siwa vahan kisi ko bhi nahi dekha. Aur mujhe to lagta hai ke Manchanda uska asli naam hai hi nahi"
"Vo kyun?" Maine muskurate hue puchha
"Kyunki mujhe aisa lagta hai aur mujhe ye bhi lagta hai ke ab hamen us baare mein baat karna chhodkar doosri taraf dhyaan dena chahiye. Is waqt usse zyada zaroori kuchh aur hai dhyaan dene layak" Kehte hue Rukmani ne apni ek chhati pakadkar halke se dabayi,
Main uska ishara samajhte hue dobara choot par dhakke maarne laga. Kuchh der aise hi chodne ke baad maine use ghutno ke bal jhuka diya aur pichhe se uski gaand pakad kar chodne laga

Chudai ke baad Rukmani vahin mere saath nangi hi so gayi. Vo to neend mein chali gayi par meri aankhon se neend koso door thi. Halanki ye sach tha ke Rukmani ki kahi baat sirf uska apna khyaal thi par ye bhi sach tha ke kuchh ajeeb tha Manchanda ke baare mein jo mujhe pareshan sa kar raha tha. Vo jis tarah se akela rehta tha, kahan se aaya tha kisi ko pata nahi tha aur sochta tha ke koi usko nuksaan pahunchana chahta hai aur aakhir mein bungalow ke andar dekhe gaye kuchh aur log, pata nahi main ek vakeel tha isliye in baaton mein itni dilchaspi dikha raha tha ye bas yun hi par main ye janta tha ke mere dimag ko sukoon tabhi milega jab mujhe mere sawalon ke jawab mil jayenge.Main ye bhi janta tha ke kisi ke personel mamle mein yun dakhal dena theek nahi par meri curiosity is hadh tak ja chuki thi ke main aadhi raat ko hi bistar se uth khada hua aur sardi mein ghar se bahar nikal gaya. Main khud dekhna chahta tha ke kya sach mein Bungalow ke andar koi aur bhi dikhai deta hai.

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 5

Dheere dheer chalta main Bungalow No 13 ke saamne pahuncha. Bungalow se thodi hi door par police chowki thi jahan par policewala kambal mein lipta gehri neend mein dooba hua tha. Main Bungalow ke saamne sadak ke doosri taraf khada jaane kis ummeed mein us ghar ki aur dekhne laga. Bungalow ke drawing room ki khidki par parda gira hua tha aur uske doosri taraf se roshni aa rahi thi. Shayad Mr Manchanda abhi soye nahi the. Thodi der yun hi khade rehne ke baad mujhe khud par hasi aane lagi ke kaise main ek aurat ke kehne par aadhi raat ko yahan aa khada hua. Main jaane ko palta hi tha ke mere kadam vahin jam gaye. Khidki par pade parde ke doosri taraf do saaye nazar aaye. Ek aadmi ka aur ek aurat ka. Mujhe ek pal ke liye yakeen nahi hua ke main kya dekha raha hoon par jab vo saaye thodi der aise hi khade rahe to mujhe yakeen ho gaya ke mujhe dhokha nahi ho raha hai. Main dhyaan se khidki ki taraf dekhne laga jiske parde par mujhe bas 2 kaale saaye dikhai de rahe the.
Jis andaaz mein vo saaye apne haath hila rahe the use dekhkar andaza hota tha ke dono mein kisi baat par kahasuni ho rahi hai jo dheere dheere badhti ja rahi thi.Vo baar baar ek pal ke liye khidki ke saamne se hat jaate aur phir usi tarah jhagda karte hue phir khidki ke saamne dikhai dete. Kuchh der tak yahi chalta raha aur phir achanak se us aadmi ke saaye ne aurat ke saaye ko gardan se pakad liya aur kisi gudiya ki tarah buri tarah hila diya.Vo aurat aadmi ki pakad se chhutne ki koshish karne lagi aur mujhe aisa laga jaise maine ek cheekh suni ho.
Pata nahi kya sochkar par fauran main Bungalow ke darwaze ki taraf bhaaga. Shayad main us aurat ko museebat se bachana chahta tha. Darwaze par pahunchkar maine zor se darwazr khatkhataya aur theek usi pal drawing room mein jal rahi roshni bujh gayi aur mujhe kuch bhi dikhai dena band ho gaya. Pagalon ki tarah main vahan khada darwaza peet raha tha. Mujhe poora yakeen tha ke vo aadmi ka saaya Manchanda hi tha aur us aurat ko maar raha tha.Jab badi der tak darwaza nahi khula to maine police chowki tak jaane ka faisla kiya aur Bungalow se nikalar vapis sadak par aa gaya. Ek aakhri nazar maine Bungalow par daali aur police chowi ki taraf badha. Main mushkil se kuchh hi kadam chala tha ke saamne se mujhe ek aadmi aata dikhai diya. Jab vo aadmi nazdeek aaya to maine uska chehra dekha aur meri aankeh hairat se phel gai.
Vo aadmi Manchanda tha jo mere khyaal se Bungalow ke andar hona chahiye tha.

"Manchanda Sahab" Main thoda pareshan hote hue bola "Aap?"
"Haan main" Usne jawab diya "Kyun?"
"Par aap" Mera sar chakra utha tha "Aap to ..... "
"Main kya?" Manchanda ne puchha
"Mujhe laga ke aap ghar ke andar hain" Maine bungalow ki taraf dekhte hue kaha
"Aapko galat laga" Manchanda ne jawab diya "Main andar nahi bahar hoon. Yahan aapke samne"
"To aapke ghar mein kaun hai?"
"Jahan tak mujhe pata hai koi nahi" Manchanda mere in sawalo se zara pareshan hone laga tha
"Par maine kisi ko dekha vahan. Bungalow ke andar" Maine ghar ki taraf ishara karte hue kaha
"Bungalow ke andar?" Manchda chaunk utha "Kaun?"
"Pata nahi" Maine jawab diya "Par koi tha vahan"
"Aapko dhokha hua hoga" Manchanda ne muskurane ki koshish ki
"Nahi" Main apni baat pe ad gaya "Main keh raha hoon ke maine kisi ko dekha hai aur mujhe koi galti nahi hui"
"To chaliye ham khud hi chalkar dekh lete hain" Manchanda Bungalow ki taraf badha
"Par vo to ab vahan se chale gaye " Main vahin khada raha
"Chale gaye?" Manchanda phir meri taraf palta
"Haan" Maine kaha "Maine darwaza khatkhataya tha kyunki mujhe laga ke ghar ke andar koi jhagda chal raha hai aur usi waqt ghar mein roshni bujh gayi aur kisi ne darwaza nahi khola. Mere khyaal se vo aadmi aur aurat vahan se bhaag gaye"
Meri baat sunkar Manchanda thodi der khamosh raha aur meri taraf dekhta raha.Phir vo muskurate hui mere thoda kareeb aaya aur bola
"Aapko zaroor koi dhokha hua hoga. Ghar mein is waqt koi nahi ho sakta. Maine jane se pehle khud darwaza band kiya tha aur main pichhe 4 ghante se bahar hoon"
"Aapko kya lagta hai ke main pagal hoon? Jagte hue sapna dekh raha tha main?" Mujhe halka gussa aane laga
"Aap sapna dekh rahe the ya nahi is baat ka pata abhi lag jaayega. Chaliye ham log chalke khud bungalow ke andar dekh lete hain" Manchanda phir Bungalow ki taraf badha. Ham dono sadak ke beech bhari sardi mein aadhi raat ko khade behes kar rahe the.
"Maaf kijiyega" Main apni jagah par hi khada raha "Shayad mujhe is mamle mein padna hi nahi chahiye tha. Ye aapka zaati mamla hai jisse mera koi lena dena nahi. Par ek baat main aapko bata doon Mr Manchanda. Mujhe zyada colony wale aapko lekar tarah tarah ki baaten kar rahe hain. Har koi ye kehta phir raha hai ke aapke pichhe aapke bungalow mein koi aur bhi hota hai. Aur aap jis tarah se rehte hain, chup chap, kisi se milte nahi use dekhkar to yahi lagta hai ke aapke baare mein is tarah ki baaten hoti rahengi aur koi na koi ek din police le hi aayega aapke yahan"
"Police?" Manchanda ekdam chaunk gaya "Nahi nahi. Ye theek nahi hai. Mera ghar meri apni zindagi hai. Policewale andar na hi aayen to behta hai. Main ek shaant kism ka aadmi hoon aur kismat ka maara bhi jise akelapan pasand hai. Mere ghar mein kisi aur ke hone ki baat bakwaas hai"
"Phir bhi jab maine kaha ke aapke ghar mein koi hai to aap darr to gaye the" Maine apni baat par zor dete hue kaha
"Darr?" Manchanda ne jawab diya "Main kyun darne laga aur kisse darunga?"
"Shayad unse jo aapko takleef pahunchana chahte hain?" Maine Manchanda ki hamari pehli mulaqat ki kahi baat dohrayi
Manchanda fauran 2 kadam pichhe ko ho gaya aur mujhe ghoorne laga. Uske chehre par pareshani ke bhaav saaf dekhe ja sakte the.
"Tum is baare mein kya jante ho?" Usne mujhse puchha
"Utna hi jitna aapne bataya tha mujhe us raat jab main aapko ghar chhodkar gaya tha" Maine use yaad dilate hue kaha
"Us raat main apne hosh mein nahi tha. Vo main nahi sharab bol rahi thi" Usne jawab diya
"Par sharab sach bol rahi thi" Maine kaha
"Dekhiye" Manchanda ne gehri saans lete hue kaha "Main ek bahut pareshan aadmi hoon, apni zindagi ka sataya hua hoon"
"Main chalta hoon" Maine kaha "Meri kismat kharab thi ke raat ke is waqt main is taraf chala aaya aur aadhi raat ko sardi mein yahan khada aaps behas kar raha hoon par mujhe lagta hai ke ab hamen apne apne ghar jana chahiye"
"Ek minute" Manchanda ne mujhe rokte hue kaha "Main aapka ehsaan manta hoon ke aapne mujhe hoshiyar karne ki koshish ki. Colony ke logon se aur mere ghar mein kisi ke hone ki baat se bhi. To is vajah se ye mera farz banta hai ke main bhi ye sabit karun ke aap galat hain. Mere ghar mein koi nahi hai. Aap ek baar mere saath bungalow ki taraf chalte dekh apni tasalli kar lijiye ke vahan koi insaan nahi tha."
"Agar insaan nahi tha to koi bhoot bhi nahi tha. Jahan tak main janta hoon bhooton ki parchhai nahi banti" Maine mazak sa udate hue kaha
"Aap khud chalte apni tasalli kyun nahi kar lete" Manchanda ne ek baar phir mujhe apne saath bungalow mein chalne ko kaha

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 6

Mujhe Khamosh dekhkar Manchanda ne ek baar phir mujhe andar chalne ko kaha. Samajh nahi aa raha tha ke kya karun. Bungalow No 13 bahut badnaam tha, tarah tarah ki kahaniyan is ghar ke baare mein mash-hoor thi. Us ghar mein aadhi raat ko ek ajnabhi ke saath jana mujhe theek nahi lag raha tha. Ek taraf to mera dil ye keh raha tha ke ek baar andar jakar ghar dekh hi aaon aur doosri taraf dar bhi lag raha tha. Dar manchanda ka nahi tha, vo ek buddha aadmi tha mera kya bigad sakta tha. Dar is baat ka tha ke agar ghar ke andar aur log hue to?Aur agar Manchanda unke saath mila hua to? Par meri curisity ne ek baar phir mujhe majboor kar diya ke main ek baar dekh hi aaoon. Maine manchanda ko ishara kiya aur uske pichhe Bungalow ki taraf chal pada.
Thodi hi der mein Main aur Manchanda Bungalow ke andar drawing room mein khade the. Bungalow mein light nahi thi. Manchanda ne aage badhkar saamne rakha lamp jalaya.
"Vo log jinki parchhai aapne pardi par dekhi thi, agar vo sahi mein the to yahan khade honge" Manchanda ne khidki ke kareeb rakhi ek tabke ki aur ishara karte hue kaha
Maine haan mein sar hilaya
"Ab ek baat batao Ishaan" usne pehli baar mujhe mere naam se bulaya "Tum kehte ho ke vo log aapas mein lad rahe the par is kamre ko dekhkar kya aisa lagta hai ke yahan koi abhi abhi lad raha tha?"
Maine khidki ki aur dekha
"Ladai se mera matlab ye nahi tha ke koi yahan kushti kar raha tha Manchanda sahab. Ladai se mera matlab tha ke aapas mein kaha suni ho rahi thi. Aur ye parde dekh rahe hain aap?" Maine khidki par pade parde ki aur ishara kiya "Jab maine dekha tha to khidki par parde nahi the. Sirf sheeshe mein andar khade logon ki parchhai nazar aa rahi thi. Ye parde mere darwaza knock karne ke baad giraye gaye hain"
"Parde jaane se pehle maine giraye the Ishaan" Manchanda ne tasalli ke saath kaha
Jawab mein maine kuchh nahi kaha. Sirf inkaar mein apna sar hilaya. Jis baat ki mujhe us waqt sabse zyada hairat ho rahi thi vo ye thi ke main kyun ye sabit karne par tula hoon ke ghar mein koi tha. Mujhe kya farak padta hai agar koi tha bhi to aur agar nahi tha to mera kya fayda ho raha hai. Aur doosri baat ye ke kyun Manchanda itna zor dalkar mere saamne ye sabit karna chah raha hai ke ghar mein koi nahi hai. Maine maan bhi liya to kya badal jayega aur na mana to uska kya bigad loonga. Is baat se mera shak yakeen mein badal gaya ke kuchh hai jo vo chhupana chah raha hai. Main phir uski taraf palta.
Pehli baar maine Manchanda ko poori roshni mein dekha. Vo ek medium height ka aadmi tha. Clean shave, chehre par ek ajeeb si pareshani. Uske chehre se uda rang aur uski sehat dekhkar hi lagta tha ke vo kaafi beemar hai. Aankhon mein dekhne se pata chalta tha ke vo shayad drugs bhi leta hai. Main uski taraf dekh hi raha tha ke vo khaasne laga. Apni jeb se rumaal nikalkar jab usne apna munh saaf kiya to rumaal par khoon mujhe saaf nazar aa raha tha.
Uske baare mein 2 khaas baaten mujhe dikhai di. Ek to uske chehre ke left side mein ek nishan bana hua tha, jaise kisi ne chaaku mara ho ya kisi jungle janwar ne noch diya ho. Nishan uske honth ke kinare se upar sar tak gaya hua tha. Aur doosra uske right hand ki sabse chhoti anguli aadhi kati hui thi. Haath mein sirf baaki ki aadhi anguli hi bachi thi.
"Aap kaafi bimaar lagte hain" Maine taras khaate hue kaha
"Bas kuchh din ki takleef hai. Uske baad na ye jism bachega aur na hi koi pareshani" Usne muskurakar jawab diya
"Itni sardi mein aapko bahar nahi hona chahiye tha" Maine kaha
""Janta hoon. Par itne bade ghar mein kabhi kabhi akele dam sa ghutne lagta hai isliye bahar chala gaya tha"
Uske ghar ke baare mein zikr kiya to maine nazar charo taraf daudayi. Ghar sach mein kaafi bada tha iska andaza drawing room ko dekhkar hi ho jata tha. Manchanda ne drawing room ko kaafi achha saja rakha tha. Zameen par mehenga kaaleen, charo taraf mehengi paintings, mehenga furniture, kaafi ameer lagta tha vo. Kamre mein rakhi har cheez is baat ki taraf saaf ishara karti thi ke Manchanda ke paas kharch karne ko paise ki koi kami nahi hai. Table par rakhi sharab bhi vo thi jo agar main sharab piya karta to sirf free ki parties mein peena hi afford kar sakta tha.
"Kaafi achha bana rakha hai aapne ghar ko" Maine kaha to Manchanda muskurane laga. "Par hairat hai ke aapne sirf 2 kamron ki taraf dhyaan diya hai. Baaki ghar ka har kamra aise hi ganda pada hai"
"Mujhe sirf rehne ke liye 2 kamron ki zaroorat hai Ishaan. Baaki kamre saaf karake karunga bhi kya? Vaise tumhen kaise pata ke maine baaki ghar aise hi chhod rakha hai?" Usne puchha
"Aap is colony mein sabse famous aadmi hain Manchanda sahab. Aapke baare mein poori colony ko pata hai" Maine bhi muskurate hue jawab diya
"Shayad vo kambakht kaam karne wali bahut bol rahi hai" Manchanda ne kaha aur meri khamoshi ko dekhkar samajh gaya ke vo sach keh raha hai.
"Aaiye baaki ka ghar bhi dekh lijiye taaki aapko tasalli ho jaaye ke ghar mein koi nahi tha mere pichhe" Uski baat sunkar main phir chaunk utha. Jitna zor daalkar vo ye saabit karna chah raha tha ke main galat tha, vo baat kaafi ajeeb lag rahi thi mujhe.
Usne mujhe poore ghar ka chakkar lagva diya. Har kamra kholkar dikhaya. Kitchen ka vo darwaza jo pichhe lawn mein khulta tha vo bhi dikha diya. Darwaza andar se band tha to vahan se bhi koi nahi aa sakta tha. Poore ghar ka chakkar lagakar ham ek baar phir drawing room mein pahunche.
"Ab tasalli hui ke aapko sirf ek dhokha hua tha?" Manchanda ne puchha to maine inkaar mein sar hilaya
"Par aapne khud dekh liya ke ghar mein koi ghus hi nahi sakta tha. Aur agar koi yahan tha ko kahan gaya? Ghar to andar se band hai" Usne phir apni baat par zor daala
"Mujhe nahi pata ke ye kaise mumkin hai Manchanda sahab aur na hi main malum karna chahta" Maine kaha "Apna ghar dikhane ke liye shukriya. Main chalta hoon"
Kehte hue main darwaza ki taraf badha aur kholkar bahar nikal gaya
"Jao" Pichhe se mujhe Manchanda ki aawaz aayi "Aur sabse keh dena ke mujhe akela chhod den. Mere baare mein baate na karen. Akela chhod den mujhe yahan ghis ghiskar marne ke liye"

Thodi hi der baad main apne ghar apne kamre ke andar tha. Rukmani ab bhi gehri neend mein padi so rahi thi. Jo chadar usne apne jism par pehle daal rakhi thi ab vo bhi nahi thi aur vo poori tarah se nangi bistar par pheli hui thi. Main uske bagal mein aakar let gaya aur aankha band karke sone ki koshish karne laga par neend aankhon se koso door thi. Samajh nahi aa raha tha ke kya sach ghar ke andar koi tha ye mujhe dhokha hua tha aur ye Manchanda aisi marne ki baaten kyun karta hai? Kaun hai ye insaan? Kya koi pagal hai? Kahan se aaya hai? ye soch sochkar mera dimag phatne laga. Samajh nahi aa raha tha ke main kyun itna uske baare mein soch raha hoon.
In khyaalon ko apne dimag se nikalne ke liye main Rukmani ki taraf palta. Vo meri taraf kamar kiye so rahi thi. Maine dheere se ek haath uski kamar par rakha aur sehlate hue neeche uski gaand tak le gaya. Vo neend mein dheere se kasmasayi aur phir so gayi. Maine haath uski gaand se sarkate hue pichhe se uski taango ke beech le gaya aur uski choot ko sehlane laga. Ek anguli maine dheere se uski choot mein ghumari shuru kar di. Mera lund ab tak tan chuka tha. Maine apne shorts utarkar ek tarah phenke aur pichhe se Rukmani ke saath sat gaya aur aise hi lund uski choot mein ghusane ki koshish karne laga par kar nahi saka kyunki Rukmani ab bhi so rahi thi. Ek pal ke liye main use sidhi karke chodne ki sochi par phir khyaal chhodkar sidha let gaya.
Ladkiyon ke mamle mein meri kismat hamesha hi kharab rahi. Har koi ye kehta raha ke mujhe modelling karni chahiye, hero ban jana chahiye par kabhi koi ladke mere kareeb nahi aayi. Iski shayad ek vajah ye bhi thi ke main khud kabhi kisi ladki ke pichhe nahi gaya. Main hamesha yahi chahta tha ke ladki khud aaye aur isi intezaar mein betha raha par koi nahi aayi. Poore college haath se kaam chalana pada aur phir finally virginity khatam hui bhi to ek aisi aurat ke saath jo vidhwa thi aur mujhe umar mein kam se kam 15 saal badi thi.
College mein kayi ladkiyan thi jo mujhe pata tha ke mujhe pasand karti hain par unmen se kabhi koi aage nahi badhi aur main bhi apni tashan mein aage nahi badha. Maine ek thandi aah bhari aur apni aankhen band kar li, sone ki koshish mein.
Agle din subah 9 baje main apne office pahuncha. Main un vakeelon mein se tha jo ab bhi apne kadam jamane ki koshish kar rahe the. Jis building mein mera office tha vo Rukmani ke pati ki aur ab Rukmani ki thi. Poori building kiraye par thi aur Rukmani ke liye aamdani ka zariya tha par mera office free mein tha. Mere ghar ki tarah hi is jagah bhi main muft mein dera jamaye hue tha.
Darwaza kholkar main andar dakhil hua to samne Priya bethi hui thi.

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 7

Priya meri secretary thi. Use maine koi 6 mahine pehle kaam par rakha tha Rukmani ke kehne par. Vo kehti thi ke agar secretary ho to clients par impression achha padta hai. Priya koi 25 saal ki mamuli shakal soorat ki ladki thi. Rang halka sawla tha. Uske baare mein sabse khaas baat ye thi ke vo bilkul ladko ki tarah rehti thi. Ladko jaise hi kapde pehenti thi, ladko ki tarah hi uska rehen sehan tha, ladko ki tarah hi baat karti thi aur baal bhi kandhe tak kata rakhe the. Kehti thi ke kandhe tak bhi isliye kyunki isse chhote uski maan use katane nahi deti thi.
"Good Morning" Usne meri taraf dekhkar kaha aur phir saamne rakhi novel padhne lagi
"Good Morning" Maine jawab diya "Kaisi ho Priya?"
"Jaisi dikhti hoon vaisi hi hoon" Usne munh banate hue jawab diya
Main muskurate hue apni table tak pahuncha aur bag neeche rakha
"Mood kharab hai aaj. Kya hua?" Maine usse puchha
"Kuchh nahi" Usne vaise hi novel padhte hue jawab diya
"Are bata na" Maine phir zor dala
"Kal dekhne aaye the mujhe ladke wale. Kal shaam ko" Usne novel niche rakhte hue kaha
"To phir?" Maine puchha
"To phir kya. Vahi hua jo hona tha. Mana karke chale gaye" Vo gusse mein uthte hue boli
"Kyun?" Maine puchha
"Kehte hain ke main kisi ghar ki bahu nahi ban sakti" Vo meri table ke kareeb aayi
"Aur aisa kyun?" Maine phir sawal kiya
"Unke hisab se jo ladki ladkiyon ki tarah rehti hi nahi vo kisi ki biwi kya banegi. Kehte hain main ladki hi nahi lagti" Uski aankhe gusse se laal ho rahi thi
"Aap hi batao" Usne mujhpar hi sawal daag diya "Kya main ladki nahi lagti"
Maine usko aur chidane ke liye inkar mein sar hila diya. Usko yun gusse mein dekhkar mujhe maza aa raha tha.
Meri is harkat par vo aur aag babula ho uthi.
"Kyun nahi lagti main ladki. Kya kami hai?" Usne apne aapko dekhte hue kaha. Maine jawab mein kuchh nahi kaha
"Bolo. Kya nahi hai mujhmen ladkiyon jaisa?" Kehte hue usne apne dono haath se apni chhatiyon ki aur ishara kiya "Aapko kya lagta hai ke ye mujhe machchar ne kaat rakha hai"
Uski ye baat sunkar main apni hasi chahkar bhi nahi rok saka.

"Vo baat nahi hai Priya" Maine use apne saamne rakhi kursi par bethne ka ishara kiya."Dekh jo baat main tujhe keh raha hoon shayad tujhe thodi si ajeeb lage par yakeen maan main tere bhale ke liye keh raha hoon"
Vo ektuk mujhe dekhe ja rahi thi
"Jabse tu aayi hai tabse main tujhe ye baat kehna chah raha tha par tu nayi nayi aayi thi to mujhe laga ke kahin bura na maan jaaye. Phir ham dono ek doosre ke saath boss aur employee se zyada dost ban gaye tab bhi maine socha ke tujhe ye baat kahun par phir koi aisa mauka hi haath nahi laga."
"Kya keh rahe ho mujhe kuchh samajh nahi aa raha" Usne apna chashma theek karte hue kaha
"Batata hoon. Achha ek baat mujhe sach sach bata. Kya tera dil nahi karta ke teri zindagi mein koi ladka ho, jo tujhe chahe, tera dhyaan rakhe. Zindagi bhar tere saath chale" Maine usse puchha
"Haan karta to hai" Usne apni gardan hilate hue kaha
"To tu hi bata. Kya tu ek aise ladke ke saath rehna chahegi jo ladkiyon ke jaise kapde pehenta ho, make up karta ho aur ladkiyon ki tarah rehta ho?" Maine thoda serious hote hue kaha
Kuchh pal ke liye vo chup ho gayi. Neeche zameen ki aur dekhte hue kuchh sochti rahi. Maine bhi kuchh nahi kaha.
"Main samajh gayi ke aap kya kehna chah rahe ho" Usne thodi der baad kaha
"Bilkul sahi samjhi. Main ye nahi kehta ke tu ladki nahi. Ladki hai par ladkiyon jaisi ban bhi to sahi" Maine muskurate hue kaha
"Kaise?" Usne apne uper ek nazar daali"Main to hamesha aise hi rahi hoon"
"Hmmmm" Maine use uper se neeche tak dekhte hue kaha "Tere paas saare kapde aise ladkon jaise hi hain?"
"Haan" Use apna sar haan mein hilaya
"To kapdo sehi shuru karte hain" Maine kaha "Aaj shaam ko tu kuchh ladkiyon wale kapde khareed jaise salwar kameez ya saree"
"Theek hai" Usne muskurate hue kaha "Shaam ko office ke baad chalte hain"
"Chalte hain ka kya matlab?" Main chaunkte hue bola "Apni mummy ke saath jaake le aa"
"Are nahi" Usne fauran mana kiya "Mummy ke saath nahi varna vo to pata nahi kya bada adam ke zamane ke kapde le dengi. Aap please chalo na saath"
Vo bachcho ki tarah zid kar rahi thi. Main kaafi der tak usko mana karta raha par jab vo nahi mani to maine haar kar haan kar di.
Dopahar ke waqt main court se apne office mein aaya hi tha ke phone ki ghanti baj uthi. Priya office mein nahi thi. Shayad khana khane gayi ho ye sochkar maine hi phone uthaya.
"Ishaan Ahmed" Maine phone uthate hue kaha
"Ishaan main Mishra bol raha hoon" Doosri taraf se aawaz aayi "Kya kar raha hai?"
"Kuchh nahi bas abhi court se office pahuncha hi hoon. Khana khane ki taiyyar kar raha tha." Maine jawab diya
"Ek kaam kar police station aa ja. Khana yahin saath khate hain. Tujhse kuchh baat karni hai" Mishra ne kaha
"Kya hua sab khairiyat?" Maine puchha
"To aa to ja. Phir batata hoon" Vo doosri taraf se bola
Ranjit Mishra mera dost aur ek policewala tha. Usse meri mulaqat aaj se 2 saal pehle ek case ke silsile mein hui thi aur uske baad ham dono ki dosti badhti gayi. Iski shayad ek vajah ye thi ke takreeban zindagi ke har pehlu ke baare mein ham ek hi jaisa sochte the. Hamari soch ek doosre se bilkul milti thi. Vo mujhe umar mein 1 ya 2 saal bada tha. Sach kahun to mere dost ke naam pe vo shayad duniya ka akela insaan tha. Police mein inspector ki post par tha aur apni duty ko vo sabse aage rakhta tha. Rishwat lene ya dene ke sakht khilaf tha aur apni vardi ki pooja kiya karta tha. In short vo un policewalo mei se tha jo ab shayad kam hi milte hain.
Uska yun mujhe bulana mujhko thoda ajeeb laga. Priya ab tak vapis nahi aayi thi. Maine uski table par ek note chhod diya ke main Mishra se milne ja raha hoon aur office lock karke police station ki taraf chal pada.
Shamla bai hamare desh ki vo aurat hai jo har shehar, har gali aur har mohalle mein milti hai. Ghar mein kaam karne wali naukrani jo ki agar dekha jaaye to hamare desh ka sabse bada chalta phirta news channel hoti hain. Mohalle ke kis ghar mein kya ho raha hai unhen sab pata hota hai aur us baat ko mohalle ke baaki ke ghar tak pahunchana unka dharam hota hai. Ghar ki koi baat inse nahi chhipti. Biwi agar bistar par pati se khush nahi hai to ye baat bhale hi khud pati dev ko na pata ho par ghar mein kaam karne wali bai ko zaroor pata hoti hai aur kuchh din baad poore mohalle ko pata hoti hai.
Aisi hi thi Shamla Bai. Vo mere ghar aur aas paas ke kai ghar mein kaam karti aur unmen se hi ek ghar Bungalow No 13 bhi tha. Vo roz subah takreeban 10 baje Manchanda ke yahan jaati aur ghar ke 2 kamro ki safai karke aa jati thi. Manchanda ke baare mein jitni bhi baaten colony wale karte the unmen se 90% khud Shamla Bai ki kahi hui thi. Vo aadhi behri thi aur kaafi ooncha bolne par hi sunti thi aur jab baat karti to vaise hi chilla chillake baat karti thi. Vo jab mere yahan kaam karne aati to main aksar ghar se bahar nikal jata tha aur tab tak vapis nahi aata tha jab tak ke vo safai karke vapis chali na jaaye. Aksar ghar se kai cheezen mujhe gayab milti thi aur main janta tha ke vo kisne churayi hain par phir bhi main kabhi uske munh nahi lagta tha. Vo un auraton mein se thi jisne jitna door rahi utna achha. Par jo ek baat mujhe uski sabse zyada pasand thi vo ye thi ke vo time ki badi pakki thi. Uska ek schedule tha ke kis ghar par kitne baje pahunchna hai aur vo theek usi waqt us ghar ki ghanti baja deti thi. Na ek minute uper na ek minute neeche.
Vo rozana subah 7 baje Manchanda ke yahan safai karne jaati aur 8 baje tak sab khatam karke nikal jaati thi. Jaate waqt vo paas ke ek hotel se Manchanda ke liye nashta pack karate hue le jaati thi aur phir dobara dopahar 12 baje use dopahar ka khana dene jaati thi. Rukmani ne mujhe bataya tha ke sirf itne se kaam ke liye Manchanda usko zaroorat se kahin zyada paise deta tha. Shayad vo un paiso ke badle mein usse ye ummeed karta tha ke vo Manchanda ke baare mein colony mein kahin kisi se kuchh nahi kahegi. Par Shamla Bai theek uska ulta karti thi. Vo usse paise bhi leti aur usi ki burai bhi karti. Jab uske paas batane ko kuchh na bachta to apne aap nayi nayi kahaniyan banati aur poore colony ko sunati phirti.
Kaha jaaye to Shamla Bai ek behad khatarnaak kism ki aurat thi jisko shayad aaj se 400 - 500 saal pehle chudail batakar zinda jala diya jaata.Vo asal mein Manchanda ki sabse badi dushman thi jo khud uske apne ghar mein thi. Agar usko zara bhi pata chal jaata ke vo uske baare mein kaisi kaisi baaten karti hai to shayad use agle hi din chalta kar deta. Shamla Bai ko poora yakeen tha ke Manchanda ne kahin kuchh kiya hai aur ab vo apne gunaah se chhipne ke liye yahan is bhoot bungalow mein chhup kar betha hua hai. Vo shayad khud bhi lagatar is koshish mein rehti thi ke Manchanda ka raaz malum kar sake par kabhi is baat mein kaamyaab nahi ho saki.
Manchanda ne usko apne ghar ke ek chaabi de rakhi thi taaki agar vo kabhi subah ghar par na ho to Shamla andar jaakar safai kar sake. Aur aksar hota bhi yahi tha ke vo rozana subah 10 baje jaakar Manchanda ko neend se jagati thi.
Us subah bhi kuchh aisa hi hua tha. Shamla Bai hotel pahunchi. Hotel ka malik pichhle 6 mahine se Manchanda ke yahan khana bhijva raha tha isliye ab vo Shamla Bai ke aane se pehle hi breakfast pack karva deta tha. Us din bhi Shamla Bai hotel pahunchi to breakfast pack rakha tha. Usne packet uthaya aur Bungalow No 13 mein pahunchi. Apni chaabi se usne darwaza khola aur jaise hi drawing room mein ghusi to uski aankhen hairat se khuli reh gayi.
Poora drawing room bikhra hua tha. Koi bhi cheez apni jagah par nahi thi. Table par rakhe saman se lekar almirah mein rakhi books tak bikhri padi thi. Khidki par pade parde toot kar neeche gire hue the. Shamla Bai ne breakfast table par rakha aur hairat mein dekhti hui drawing room ke beech mein aayi. Tab uski nazar kamre ke ek kone ki taraf padi aur uske munh se cheekh nikal gayi.
Vahan kamre ke ek kone mein Manchanda gira pada tha. Aankhen khuli, chehra safed aur chhati se behta hua khoon. Usko dekhkar koi bachcha bhi ye keh sakta tha ke vo mar chuka hai.
"Main abhi vahin se aa raha hoon" Kehte hue Mishra ne khana meri taraf badhaya "Uski chhati par kisi chaaku ka dhaar wali cheez se vaar kiya gaya tha. Vo cheez sidha uske dil mein utar gayi isliye ek hi vaar kaafi tha uski jaan lene ke liye."

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 8

Mujhe uski baat par jaise yakeen hi nahi ho raha tha. Kuchh der tak main khamoshi se khana khata raha. Samajh nahi aa raha tha ke kya kahun. Kal raat hi to main Manchanda ko achha bhala chhodke aaya tha.
"Kab hua ye?" Maine khana khate hue puchha
"Kal raat kisi waqt. Exact time to post-mortem ke baad hi pata chalega." Mishra ne meri taraf badi gaur se dekhte hue kaha
"Aise kya dekh raha hai?" Maine puchha
"Tu kal tha na uske saath. Manchanda ke? Raat ko?" Usne kaha to main chaunk pada.
"Tujhe kaise pata?" Main puchha
"Saamne hi police chowki hai. Policewale ne bataya ke kal raat usne tum dono ko ek saath Bungalow ke andar jaate dekha tha" Mishra bola.
"Tujhe kya lagta hai?" Maine muskurate hue kaha "Maine maara hai usko?"
Mishra khana kha chuka tha. Vo haath dhone ke liye uth khada hua
"Chances kam hi hain. Tere paas usko maarne ki koi vajah nahi thi aur ghar se kuchh bhi gayab nahi hai to nahi, mujhe nahi lagta ke tune usko mara hai" Vo haath dhote hue bola
Ham dono police station mein bethe khana kha rahe the. Jab maine bhi khatam kar liya to main bhi haath dhone ke liye uth gaya. Ek constable aakar table se plates uthane laga
"Shukriya" Maine Mishra se kaha "Ke aapne mujhe suspects ki list se nikal diya"
"Vo chhod" Mishra vapis apni seat par aakar bethte hue bola "Tujhe kuchh ajeeb laga tha kal raat ko jab tu Manchanda se mila tha?"
"Mujhe to vo aadmi aur usse judi har cheez ajeeb lagti thi. Par haan kuchh aisa tha jo bahut zyada ajeeb tha" Maine kaha aur kal raat ki Manchanda ke saath apni mulaqat usko batane laga.
"Ajeeb baat ye thi yaar ke mujhe pura yakeen hai ke maine khidki par 2 logon ko khade dekha tha par jab main uske saath andar gaya to vahan koi nahi tha" Maine apni baat khatam karte hue kaha
"Ho sakta hai vo log chhup gaye hon" Mishra bola to main inkaar mein sar hilane laga
"Manchanda jaane kyun mujhe is baat ka yakeen dilana chahta tha ke ghar mein koi nahi hai isliye usne mujhe ghar ka ek ek kona dikhaya tha. Yakeen maan Mishra ghar mein koi nahi tha. Jise maine khidki par dekha tha vo log jaise hawa mein gayab ho gaye the." Maine kaha
"Tune kaha ke tu darwaza khatkhatane ke baad jab kisi ne nahi khola to police chowki ki taraf gaya tha. Ho sakta hai us dauran vo nikalkar bhaag gaye hon" Usne apna shak jataya
"Nahi. Main Bungalow se mushkil se 5 kadam ki doori par gaya tha aur jahan main aur Manchanda khade baat kar rahe the vahan se hamen bungalow ka darwaza saaf nazar aa raha tha. Balki ham dono to khaas taur se Bungalow ki taraf hi dekh rahe the. Agar koi bahar nikalta to hamen zaroor pata chalta." Maine kaha
"Ajeeb kahani hai yaar." Mishra bola "Is chhote se shehar mein jitna mash-hoor vo Bungalow hai utna hi ye case bhi hoga. Bhoot Bungalow mein ajeeb halat mein murder hua, ye headline hogi ka newspaper ki. Media wale mare ja rahe hain mujhse baat karne ke liye. Kahani hi ajeeb hai"
"Poori baat bata" Maine cigerette jalate hue kaha
"Subah ghar ki naukrani ne darwaza khola aur andar Manchanda ko mara hua paya. Vo usi waqt chillati hui bahar nikli aur chowki se policewale ko bulake laayi jisne phir mujhe phone kiya. Jab main vahan pahuncha to ghar ka sirf vo darwaza khula tha jo naukrani ne khola tha. Uske alawa ghar poori tarah se andar se band tha aur naukrani ke kholne se pehle vo darwaza bhi andar se hi band tha. To matlab ye hai ke Manchanda ka khoon us ghar mein hua jo andar se poori tarah se band tha" Mishra bola
"Come on Mishra. Ghar ke main door ki aur bhi chaabiyan ho sakti hain yaar ya phir ho sakta ho kisi ne bina chaabi ke lock khola ho" Maine kaha
"Nahi" Mishra ne phir inkaar mein gardan hilayi " Ghar ke andar lock ke siwa ek chain lock bhi hai. Vo naukrani kaafi waqt se us ghar mein kaam kar rahi hai isliye jaanti hai ke chain lock ke hook darwaze ke paas kis taraf hai isliye vo apne saath hamesha ek lakdi leke jaati hai. Darwaze ka lock kholne ke baad halka sa gap ban jata hai jismen se vo ladki andar ghusakar chain lock ko hook se nikal deti thi. Main khud vo chain lock dekha. Ye mumkin hai ke use bahar se kisi cheez ki madad se hook se nikala ja sake par aisa bilkul bhi mumkin nahi hai ke bahar khade hoke vo chain vapis hook mein phasayi ja sake" Mishra bola
"Aur subah vo chain apne hook mein thi. Yaaki ke chain lock laga hua tha" Maine kaha to Mishra ne haan mein sar hilaya
"To isliye uska khoon ghar mein us waqt hua jab vo ghar mein bilkul akela tha." Mishra bola "Aur phir saamne chowki par jo policewala tha usne mujhe bataya ke Bungalow mein tere nikalne ke baad na to koi andar gaya aur na hi koi bahar aaya"
"Suicide?" Maine phir shak jataya
"Nahi. Jis andaaz mein uspar saamne se vaar kiya gaya tha, aisa ho hi nahi sakta ke usne khud apne dil mein kuchh ghusa liya ho. Aur phir hamen vo hathyaar bhi nahi mila jisse uska khoon hua tha. To aisa nahi ho sakta ke usne suicide ki ho aur marne se pehle hathyaar chhupa diya ho" Mishra bola
"Rishtedaron ko khabar ki tune?" Maine puchha
"Ye doosri museebat hai" Mishra bola "Sala pata hi nahi ke vo kaun tha kahan se aaya tha. Maine Bungalow ke malik se baat ki par usko bhi nahi pata. Usne to Manchanda ko bina sawal kiye hi Bungalow kiraye par de diya tha kyunki us ghar mein vaise bhi koi rehne ko taiyyar nahi tha."
"To ab kya irada hai?" Maine Mishra se puchha
"Ye case bahut bada banega yaar kyunki vo sala Bungalow bahut badnaam hai. Media wale is case ko khoob mirch masala lagake pesh karenge. Ab museebat ye hai ke pehle ye pata karo ke marne wala tha kaun, phir ye pata karo ke kisne mara aur kyun mara" Mishra gusse mein bola
Mishra ke paas se main jab vapis aaya to shaam ho chuki thi. Main office pahuncha to Priya vahan se ja chuki thi. Main office se kuchh files uthayi aur unhen lekar vapis ghar aaya. Ghar pahuncha to Rukmani jaise mujhe Manchanda ke khoon ke baare mein batene ko mari ja rahi thi. Main uska excitement kharab nahi karna chahta tha isliye maine uski poori baat aise suni jaise mujhe pata hi nahi ke Manchanda ka khoon ho chuka tha.
Mujhe apni zarooart ka kuchh samaan khareedna tha isliye shaam ko takreeban 8 baje main ghar s market ke liye nikla. Jaate hue main Bungalow 13 ke saamne se niklat to dil mein ek anjana sa khauff utar gaya. Pehli baar us ghar ko dekhkar main tez kadmon se uske saamne se nikal gaya. Sirf ek yahi khyaal mere dimag mein aa raha tha ke kal tak is ghar mein ek zinda aadmi rehta tha aur jo aaj nahi hai. Kya sach mein ye ghar manhoos hai? Saman kharidte hue bhi poora waqt yahi khyaal mere dimag mein chalta raha ke usko kisne mara aur kyun mara?
Raat ko kareeb 10 baje main ghar lauta. Rukmani mujhe kahin dikhai nahi di. Apne kamre mein saman rakhkar main kitchen mein pahuncha. Mujhe bahut zor se bhookh lagi thi aur main jald se jald kuchh khana chahta tha. Kitchen mein pahuncha to vahan Rukmani khadi hui kuchh fry kar rahi thi.
Use pichhe se dekhte hi jaise meri bhookh fauran khatam ho gayi. Rukmani ke jism ka jo hissa mujhe sabse zada pasand tha vo uski gaand thi. Lagta tha jaise bananewale ne usko banate hue sabse zyada dhyaan uske jism ke isi hisse par diya tha aur badi fursat mein banaya tha. Uski gaand jis andaaz mein uthi hui thi aur chalte hue jaise hilti thi use dekhkar achhe achhe ka dil munh mein aa jaaye. Vo us waqt vahi nighty pehne khadi thi jo usne kal raat pehen rakhi thi. Vo dheeli si nighty uske ghutno tak aati thi aur jis tarah se uski gaand us nighty mein dikhai deti thi, vo dekhkar hi main deewana ho jata tha. Is umar mein bhi uska jism bilkul kasa hua tha. Kai baar maine bistar par uski gaand maarne ki bhi koshish ki thi par usne karne nahi diya. Ek baar jab maine lund ghusane ki koshish ki to vo dard se chilla uthi thi aur uske baad usne mujhe kabhi koshish karne nahi di.
Usko kitchen mein pichhe se dekhkar mera lund phir se zor maarne laga. Main dheere se chalta hua uske kareeb pahuncha aur pichhe se dono haath uski bagal se lakar uski dono chhatiyon par rakh diye aur lund uski gaand se sata diya.
"Oh Rukmani" Maine uske kaan mein bola " Khana baad mein. Filhal thoda sa jhuk jao taaki main pehle tumhen kha sakun"
Mere yun kareeb aate hi vo aise chhitki jaise 1000 watt ka current laga ho aur mujhse fauran alga hui. Uski is achanak harkat se main ladkhadaya aur girte girte bachi. Vo mujhse thodi door ho palti aur usko dekhkar meri aadhi saans uper aur aadhi neeche reh gayi. Jo aurat mere saamne khadi thi vo Rukmani nahi koi aur thi.
Vo aankhen khole hairat se meri taraf dekh rahi thi aur main uski taraf. Ham dono mein se koi kuchh nahi bola. Uska chehra Rukmani se bahut milta tha aur kad kaathi bhi billul Rukmani jaisi hi thi. Tabhi kitchen ke bahar kadmon ki aahat se ham dono sambhal gaye. Rukmani kitchen mein aayi aur mujhe vahan dekhkar muskurayi.
"Aa gaye" Usne kaha aur phir saamne khadi aurat ki aur dekha "Devyani ye Ishaan hai. Maine bataya tha na. Aur Ishaan ye meri behen Devyani hai. Abhi 1 ghanta pehle hi aayi hai."
Mujhe dhyaan aaya ke kai baar Rukmani ne mujhe apni chhoti behen ke baare mein bataya tha jo London mein rehti thi aur Rukmani se 2 saal chhoti thi. Vo kisi college mein professor thi aur kabhi shaadi nahi ki thi. Tabhi ye kambakht Rukmani se itni milti hai, behen jo hai, maine dil hi dil mein socha aur usko dekhkar muskuraya. Vo bhi jawab mein muskurayi to meri jaan mein jaaan aayi ke ye Rukmani se kuchh nahi kahegi. "Main soch rahi thi ke tumhen bataoongi ke Devyani aane wali hai par bhool gayi." Rukmani ne kaha . Maine haan mein sar hilaya aur fauran kitchen se bahar nikal gaya.
Us raat main bistar par akela hi tha. Devyani ke aane se Rumani aaj raat apne kamre mein hi so rahi thi taaki apni behen se baat kar sake. Bistar par lete hue main jaane kab tak bas karwat hi badalta raha. Neend aankhon se koso door thi. Bas ek hi khyaal dimag mein chal raha tha ke Manchanda ko kisne maara. Aur jo baat mujhe sabse zyada pareshan kar rahi thi ke ghar mein koi hote hui bhi mujhe kal raat andar koi kyun nahi mila? Aisa kaise ho sakta hai ke 2 log khade khade hawa mein gayab ho gaye. Aur band ghar mein Manchanda ka khoon hua kaise?

To be continued....
Reactions:
 
  • Thread starter


Update 9

Raat ko main badi der tak jagta raha jiska nateeja ye nikla ke main subah der se utha. Bhagta daudta taiyyar hua aur office jaane ke bajay sidha court pahuncha jahan 11 baje mujhe ek case ke silsile mein jana tha.
Hearing ke baad main office pahuncha. Priya subah se mujhe phone milane ki koshish kar rahi thi par court mein hone ki vajah se main phone utha nahi saka.
Office pahuncha to vo mujhe dekhte hi uchhal padi.
"Kahan ho kal se Ishaan?" Vo mujhe sir ye boss kehne ke bajay mere naam se hi bulati thi
"Are yaar subah bahut der se utha tha isliye office aane ke bajay sidha court hi chala gaya tha" Main bag neeche rakhta hua bola
"Ek phone hi kar dete. Main subah se pareshan thi ke tum hearing ke liye pahunche ke nahi" Usne kaha to main sirf muskura kar reh gaya
"Aur kal kahan gayab ho gaye the?" Usne kal ke baare mein sawal kiya
"Dopahar ko office aaya to tu nahi thi. Tabhi vo Inspector Mishra aa gaya aur mujhe uske saath jana pada. Shaam ko vapis aaya to tu ghar ja chuki thi" Main hamesha ki tarah usko apne poore din ke baare mein batata hua bola. Hamesha aisa hi hota tha. Vo meri office ke saath saath personnel life ki secretary bhi thi.
"Haan vo main kal thoda jaldi chali gayi thi" Vo muskurate hue boli "Tum nahi aaye to maine socha ke main akele hi kuchh kapde le aaon"
"Kapde?" Maine hairani se uski taraf dekha
"Haan vo tumne hi kaha tha na. Ladkiyon ke jaise kapde" Usne yaad dilate hue kaha
"Achha haan. To kuchh pasand aaya?"
"Haan laayi hoon na. Tumhen dikhaoongi sochkar kal ghar hi nahi le gayi. Yahin chhod gayi thi" Kehte hue usne table ke pichhe se ek bag nikala aur usmen se kuchh kapde nikalkar mujhe dikhane lagi. 2 ladkiyon ke tops aur 2 jeans thi. Rang aise the ke agar vo unko pehenke nikalti to gali kar har kutta uske piche pad jata. Par main uska dil nahi todna chahta tha isliye kuchh nahi kaha.
"Kaise hain?" Usne khush hote hue kaha
"Achhe hain" Maine jawab diya. Sach to ye tha ke vo kapde agar koi free mein bhi de to mere hisab se inkaar kar dena chahiye tha
"Munh udhar karo" Usne mujhse kaha aur aage badhkar office ka gate andar se lock kar diya
"Matlab? Kyun?" Mujhe uski baat kuchh samajh nahi aayi
"Are pehenke dikhati hoon na. Ab yahan koi seperate room ya changing room to hai nahi. To tum munh udhar karo main change kar leti hoon" Usne khidki band karte hue kaha
"Tu pagal ho gayi hai?" Mujhe yakeen nahi hua ke vo pagal ladki kya karne ja rahi thi "Yahan change karegi? Baad mein pehenke dikha dena abhi rehne de"
"Nahi. agar theek nahi lage to aaj shaam ko vapis kar doongi. Aaj ke baad vo vapis nahi lega" Usne ek top nikalte hue kaha
"To washroom mein jaake change kar aa" Maine use ladies room mein jaane ko kaha. Building ke us floor par ek common toilet tha.
"Pagal ho? Vahan kitna ganda rehta hai. Ab tum udhar munh karo kaldi" Kehte hue usne apni shirt ke button kholne shuru kar diye. Mere paas koi chara nahi bacha sivay iske ke main doosri taraf dekhun.
Thodi der tak kapde utarne aur pehenne ki aawaz aati rahi.
"Ab dekho" Usne mujhse kaha aur main palta. Us ek pal mein main 2 cheezen ek saath mehsoos ki. Ek to mera zor se hasne ka dil kiya aur doosra main hairat se Priya ki taraf dekhne laga.
Vo halke saawle rang ki thi aur uspar vo bhadakta hua laal rang ka tight top laayi thi jo uspar bahut zyada ajeeb lag raha tha. Ye dekhkar mera hasne ka dil kiya. Par jis doosri baat ne mera dhyaan apni taraf kiya vo tha Priya ka jism. Vo hamesha ladko ke style ki dheeli si shirt aur ek dheeli si pent pehne rakhti thi aur uspar se ladko ke jaisa hi andaaz. Maine kabhi usko ek ladki ke roop mein na to dekha tha aur na hi socha tha par aaj vo mere saamne ek tight top aur utni hi tight jeans mein khadi thi. Aaj maine pehli baar notice kiya ke vo actual mein ek ladki hai aur bahut khoob hai. Uski chhatiyan us tight top mein had se zyada badi lag rahi thi. Lag raha tha top phaadke bahar aa jayengi. Meri nazar apne aap hi uski chhatiyon par chali gayi. Ek nazar padte hi main samajh gaya ke usne andar bra nahi pehen rakha tha. Uske dono nipples kapde ke uper saaf taur par ubhar aaye the. Dil hi dil mein main ye soche bina nahi reh saka ke uski chhatiyan itni badi thi aur aaj tak maine kabhi ye notice nahi kiya
"Kaisi lag rahi hoon?" Usne ithlate hue puchha to mera dhyaan uski chhatiyon se hata. Aur agle hi pal usne jo harkat ki usse mera dil jaise mere munh mein aa gaya. Vo mujhe dikhane ke liye ghoome aur apni peeth meri taraf ki. Ladkiyon ke jism ka ek hissa meri kamzori hai, unki gaand aur Priya ki gaand to aisi thi jaisi maine kabhi dekhi hi nahi thi. Usne Rukmani aur Devyani ko bhi pichhe chhod diya tha. Vo hamesha ek dheeli si pent pehne rehti thi isliye aaj se pehle kabhi mujhe ye baat nazar hi nahi aayi thi.
"Bahut achhi lag rahi ho" Vo phir se meri taraf palti to maine kaha.
"Doosra pehenke dikhati hoon" Usne kaha aur doosri jeans uthayi
Main hamesha usko ek saaf nazar se dekhta tha aur uske liye mere dil mein koi bura vichar nahi tha. Par aaj usko yun dekh kar ek pal ke liye meri neeyat bigad gayi thi aur mujhe dil hi dil mein is baat ka afsos hua. Maine fauran usko roka
"Abhi nahi. Shaam ko. Abhi vo Mishra aane wala hai" Maine bahana banate hue kaha.
"Mishra?" Usne mera jhooth maan liya.
"Haaan. Tum dobara pehle wale kapde pehen lo" Maine kaha aur phir se doosri taraf palat gaya taaki vo change kar sake. Palatne se pehle maine ek aakhri nazar uske kapdo par daali. Mujhe vahan koi bra nazar nahi aaya. Priya ne bra pehen bhi nahi rakha tha. Iska matlab saaf tha ke vo bra pehenti hi nahi thi jispar mujhe bahut hairat hui. Itni badhi chhatiyan aur bra nahi pehenti?

Naam liya aur shaitan hazir. Ye kahwat maine kai baar suni thi par us din sach hote bhi dekhi. Maine Priya se Mishra ke baare mein jhooth kaha tha par vo sach mein 15 min baad hi aa gaya.
"Kya kar raha hai?" Usne office mein aate hue puchha
"Kuchh khaas nahi" Maine kaha
"Mere saath chal raha hai? Teri colony hi ja rahe hain. Vo Bungalow No 13 jaana hai investigation ke liye to maine socha ke tujhe saath leta chalun. Pehle soch raha tha ke phone karun par phir chala hi aaya" Mishra bina mujhe bolne ka mauka diye bolta hi chala gaya
Maine Priya ki taraf dekha. Vo gusse se mujhe ghoor rahi thi. Mera jhooth pakda gaya tha. Vo samajh gayi thi ke maine use jhooth kaha tha ke Mishra aa raha hai.
Main Mishra ke saath ho liya aur thodi hi der baad ham dono phir se Bungalow No 13 ke andar aa khade hue. Aakhri baar jab main is ghar mein aaya tha to ye ghar tha par ab ek police investigation scene. Mishra ne mujhe ishare se kamre ka vo kona dikhaya jahan Manchanda ki laash mili thi. Dekhkar hi mere jism mein ek ajeeb si khauff ki lehar daud gayi.

To be continued....
 
Back
Top