• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Adventure of karma ( dragon king )

  • Thread starter Thread starter StoryPublisher
  • Start date Start date
Mega final update 40

Monark ne durjan kara pe bhi aag ke gole pheke lekin aag Ke gole durjan kara tak ja nahi paye aur wohi usse kuch duri pe hi ek adrisya diwar se takra fat gaye ... Monark durjan kara ko dekh gurraya ..wo aage badh hi raha tha ke main use rok liya..

Main.. Ruk jao monark .. Monark ruk gaya ... Charo aur sirf danavo ke chithde pade huye the .. Aur ek taraf main khada tha husna aur monark ke sath dusri taraf durjan kara .. Uske chehre pe kamina muskan tha ...

Main.. Durjan kara rani pari kaha hai... Kya kiya unke sath ...

Durjan kara .. Rani pari ki chodo tumhe apne dono sathio ki

fikar nahi hai kya hua hoga unke sath ..

Main.. WO koi kamjor insan nahi hai bahadur yodha hai wi khud ko sambhal sakte hai kisi bhi chunowti ke aage .. Durjan kara.. Hmm itna biswas un dono pe .. Hahahaha ..

Main.. Durjan kara rani pari kaha hai unko samne lao ...

Durjan kara .. Hahaha ohhho tumko utni fikar hai rani Pari

ki to khud dhund lo ..

Main.. Tumhe batana hi hoga .. Maine apna hath upar kiya aur thandar bolt magic ka istemal kiya... Bijli akar durjan kara ke upar giri lekin ye kya jaise koi adrisya diwar mere thandar bolt ko ROK diya bijli Charo aur bikhar gayi Charo aur bijli ke dhamake ho gaye ...

Durjan kara.. Hahaha bas itna hi kar sakte ho .. Hahaha main

amar ban gaya hu aab mujhe koi maar nahi sakta ...

Hahahaha ...

Main.. Hahaha haiwan kabhi amar nahi hote .. Tumhari mout pakki hai .. ( man me .. Mere koi bhi war kaam kiu nahi kar rahe konsi taqat Hai jo mere taqat ko ustak pahuchne se rok rahi hai )

Durjan kara .. Main amar hu mujhe koi maar nahi sakta agar biswas nahi to karlo apni puri kosis .. Tumhe khatam karne ke baad us duniya ki wari hai .. Hahaha duniya mera intezar

karo tumhara apna demon king lout raha hai ... Hahaha ...

Main.. Main kabhi aisa hone nahi dunga .. Maine apni talwar nikal li aur bijli ki tezi se durjan kara pe war karne ke liye lapka lekin mera war na Jane kaise phirse ek adrisya diwar ya suraksha kabach se takra ruk gayi .... Main war pe war

karta raha samne se piche se upsr se niche se lekin mera war

durjan kara tak pahuch hi nahi raha tha ...

Durjan kara .. Bahut khel khel liya aab meri wari tabhi durjan kara ne apna ek hath upar kiya aur tabhi uske hath me kala dhua Jama ho gaya aur dekhte dekhte wo dhua ek talwar me badal gayi ...

Durjan kara.. Blade of the dark show your power .. Itna keh ke usne talwar ghumayi Maine talwar ko apne talwar se ROK liya lekin uska force itna tha ke main udta hua dur ja gira lekin mujhe chot nahi aayi mere suraksha kabach ne mujhe bacha liya ...

Durjan kara .. Hmm very interesting .. Tumhare pass bhi suraksha kabach hai .. Lekin kitna taqat war mujhse bhi taqatwar kya abhi pata chal jayega kiska kabach taqarwar

hai kon pehle tut ta Hai ..

Phir kya tha him dono me bhayankar talwar baji hone lagi hamare talwar ek dusre ke talwaro se takrate kabhi ek dusre ke kabach se lekin hum dono ka hi kabach kafi mazboot tha tutne ka naam nahi le raha tha ... Har gujarte waqt Ke sath hamari ladayi bhayankar hone lagi hum magic use karne lage talwar ke sath ... Talwar takrayi phir magic spells cast hote .. Mere magic bahut taqarwar the lekin phirvi main durjan kara ka kabach todne me naqam ho raha tha ..aur durjan kara ka black magic mere upar beasar sabit ho taha tha.. Hum ladte ladte ruk gaye ...ek dusre ke ankho me dekh agle war ki kalpana karne lage tabhi durjan kara bola...

Durjan kara.. Hmm not bad tum me kabiliyat hai kya kehte ho mere senapati ban jao dono milke puri duniya pe raj karenge ..koi bhi nahi hoga hamara mukabla karne layak ... Main.. Idea achha hai lekin no thanks main apne jindagi me

behad khush hu .. Mujhe duniya ko gulam bana raaj karne me koi interest nahi hai ...

Durjan kara.. Ek baar aur soch lo .... Hamare kadme ko

duniya bhar ki doulat hogi duniya hamare kadmo me hogi .. Kya chahiye tumhe ha ha ha bolo ha .. Ladkiya , doulat , kingdom bolo ... Sab tumhare kadmo me hoga.. Hath mila lo ban jao mera senapati ...

Main.. Tumne socha bhi kaise mera ruh abtak saaf hai tum jaisa nahi jisme sirf lalach haiwaniyat bhari padi hai .. Durjan kara .. Too bad aab to tumhe marna hi hoga is duniya

aur mere bich tum khade ho ...

Main .. Aur jabtak is jisam me jaan hai khada rahunga ...

Hamari bate khatam ho gayi aab phirse wsri action ki thi .. Maine apne talwar me apne lighting magic ko mix kar diya aur dobara talwar ghuma durjan kara pe hamla karne laga mere war aab pehle se kayi guns taqarwar the .. Mere pehle kuch war Ke sath hi mujhe kuch mahsoos hua jaise har takrate talwar aur kabach ke sampark ke sath mere mastisk

me awaj gunjne lagi ...

Awaj kuch sand the jo har ek shabd takrate talwar ke sath

mere mastisk me gunjne lage... Andhere, ko , harana, hai , to ,

roshni , bano...

Mujhe kuch waqt laga Lekin mujhe samajh me agaya meri najar ek aur jagah gayi durjan kara ke gale me ek locket tha jo black tha lekin phirvi usme se light nikal raha tha ....

Maine thoda dhayan diya to mujhe sab kuch samajh aane

laga..

Durjan kara ne rani pari ko unko khubi ke karan agwa kiya tha aur wo khubi thi suraksha kabach banane ka .. Lekin pehle kabhi durjan kara ke pass kabach nahi tha warna king soloman durjan kara ko kabhi jalhmi nahi kar pate .. Matlab ye jo kabach hai ye jarur rani pari ki hi taqat hogi .. Lekin kaise kaise ye ho sakta hai rani pari kabhi durjan kara ko unki shakti nahi dengi .. Iska matlab durjan kara ne kisi

tarah Rani pati ko apne najdik rakha hai .. Kaise ...

Hamara battle chal raha tha ... Hum bina thake ek dusre pe

war kiye ja rahe the .. Durjan kara sach kahu to behad

taqatwar tha.. Kali shakti ne usko lagbhag amar hi bana diya

tha itni taqat thi ...

Maine apne dimag ko shant rakh har pal soch raha tha kya

karne se main is kabach ko par kar sakta hu ...

Tabhi hum dono ki talwar takrayi aur bijli de roshi paida hui aur wo roshni durjan kara pe padi .. Tabhi mere dimag ki batti jali... Rani pari mujhse kya kehne ki kosis kar rahi thi .. Andhere ko harana hai to roshni bano ..

Tabhi mujhe husna ki yaad agayi husna ki taqat light magic

se aati thi .... Main durjan kara se dur ho gaya ...

Durjan kara .. Kya hua thak gaye aabhi to suru hua hai ..

Main.. Thaka nahi main kuch soch raha tha ...

Durjan kara.. Socho aur socho lekin tumhare pass waqt

behad kam hai ..

Main.. Husna tumhari taqat light se aati Hai na tum mujhe

apni taqat de sakti ho ...

Husna.. Malik aap ko meri taqat chahiye .. Main is waqt ka kabse intezar kar rahi thi ... Mere malik mere malik... Itna kehte kehte husna roshni ke gole me badal gayi pura floor roshni hi roshni ho gaya .... Tabhi mujhe us roshni se awaj aayi ...

Husna.. Malik aab waqt agaya hai hum ek ho jaye .. Malik mujhe Kabul kare .. Itna kehte huye husna ka roshni ka gola mere andar sama gaya .... Mujhe achanak mere andar asim

taqat ka mahsoos hone laga ... Mera pura jisam roshni ke tarah chamakne laga mere Baal lambe ho gaye .. Yahatak ki meri talwar bhi roshni ki ki tarah chamakne lagi ... Mere jisam ka har hissa roshni bikhar raha tha ...

Durjan kara mujhe aise dekh do kadam puche ho gaya roshni

ke kirono se use taklif ho rahi thi ..

Main.. Ye hui na baat husna .. Husna mere mind me boli...

Husna.. Mere malik aap ko roshni ki besumar taqat Mubarak

ho ..

Main.. Durjan kara aaja aab dekhta hu tujhe .. Maine ek chalang ke sath durjan kara pe apni talwar se war kiu durjan kara ne apni talwar se mujhe rokne ki kosis ki lekin meri roshni ki talwar durjan kara ke black sord ko kisi makhan ke tarah chirte hute uske suraksha kabach ko bhedte huye Duran kara ka hath kat diya ...

Durjan kara ka hath kat te hi wo dard se tadap te hute puche

hat gaya ...

Main.. Aab mujhe yaad yaha king soloman ne roshni ki taqat se tumhara hath Kata tha matlab ye hath tumhari magic se bani hai .. Lekin isbaar hath nahi tumhara sar karega ...
 
Tabhi meri najar durjan kara ke gale me loket pe gayi uski roshni mujhe Rani pari ka ehsaas kara rahi thi .. Maine

dobara walwar utha durjan kara pe war kiya .. Isbar talwar kabach ko bhed te huye durjan kara ke gardan pe lage loket ke black stone se takrayi ... Stone ke tukre ho gaye sath sath durjan kara ki gusse se bhari chikh gunj gayi ... Rani pareeeee.....

Tabhi jaise us tute Stine se roshni ki ek lakir nikal aayi aur upar ko uth gayi aur dekhte dekhte wo roshni ki lakir akar lene lagi aur mere ankho ke samne rani pari ne apna akar dharan kiya ...

Durjan kara.. Ye kaise ho sakta hai ye kaise ho sakta hai itne salo tak main jis taqat.ko pane ki kosis kar raha tha mere hatho se kaise chin sakta hai .. Mujhe duniya ka king banna hai .. Tum adna sa insan .. Main tumse nahi har sakta ...

Main.. Kuch jo jabardasti hasil ki jaye kabhi sath nahi rahti .. Tumne apne taqat ke pagalpan me na Jane kitne salo tak rani Pari ko yatna dete rahe .. Tum king to kya jibit rahne ke layak nahi ho....

Durjan kara ...main jibit rahu ya na rahu tum mese koi bhi jibit nahi rahega ... Ye meri kali taqate main tumhara malik tumhe pukara hu mere khuni blood red stone ki taqat main tumhe pukara hu .. Aao aur is duniya samet yaha sabhi ko dafan kardo apne sath .... Tabhi na Jane kaha se lekin Charo disao se kale dhuye akar durjan kara me shamil hone lage ...

Tabhi rani pari udte huye mere pass aayi ..

Rani pari.. Yaha se nikal chalo ye duniya tabah hone wali hai

..

Meri najar durjan kara pe padi uska Sharir fulta ja raha tha

har gujarte pal ke sath ...

Maine ankhe band ki aur search magic ka istemal kuya...

Mujhe sintel aur Gasper ko dhubdna tha yaha se nikalne se pehle ... Mujhe dono mil gaye dono Ab bhi do alag alag floor pe bhatak rahe the .. Mujhe location ka pata chal gaya aur Maine gate spell ka use kiya distance ko dhayan rakh kar sur thik wohi pahucha jin diwaro ke piche dono ghum rahe the ..

Maine apni talwar ghumayi aur diwar ke tukre tukre kar

diye ...

Pehle sintel ko khich Ke apne taraf kiya phir Gasper ko uske floor se .. Phir Maine magic book se mile spell ka use kiya blood red Stone se. Bahar Jane ke liye ...

Maine sabhi ka hath pakda aur spell dohraya ... Crimson light take us in the world I desire .. Aur iske sath hi hamara jisam roshni me badal gayab ho gaya .. Hamare charo aur roshni hi roshni thi kuch dikh nahi raha tha tabhi hamare piche se kala tufan aate huye dikha Lekin wo humtak pahuch pata usse pehle hum blood red Stone ke bahar prakat huye aur tabhi ek bhayankar bisfot ke sath jo chota tha ... Blood red stone ke tukre tukre ho gaye aur wo tukre jaise hawa me milke gayab ho gaye ....

Bisfot se hamare Charo aur dragons akar Jama ho gaye ...

Maine hath upar kiya to sabhi asman ki aur ud gaye .. Aur asman me aag ke lapte bikherne lage ... Jaise atisbazi ho rahi ho ..

Hum buri tarah thak gaye the wohi chattan se tek laga baith gaye husna mujhse alag ho gayi .... Tabhi hum tino ne ek

dusre ko dekha aur jor ka thahaka lagane lage ..... Ye hamara

tarika tha khushi jahir karne ka ... Tabhi hamare samne rani

pari agayi aur apni roshni bikherte hute boli...

Rani pari.. Mere bahadur masiha aaj tumne mujhe barso ki tadap se azad kar diya ... Mujhe muqt kar tumne meri aur mere aane wale bansh tumhara jivan bhar kritagya rahenge

... Bolo mere masiha bolo tumhari aisi koi ichha jo main puri

kar saku...

Main.. Sukriya rani pari hamne apna kartabya pura kiya ...

Mujhe to kuch nahi chahiye lekin main apne dono dosto ke liye aap ki taqat ka chota hissa chahunga .. Aap ki suraksha kabach ko chota sa hissa aap indono ko de take bhabisya me

ye bahadur aur bhi kayi bahaduri Ke karya karte huye

duniya ki madat kar sake ...

Rani pari.. Kya apne kiye kuch nahi mangoge..

Main.. Mere pass pehle hi kayi shakti hai suraksha kabach

bhi hai .. Mujhe taqat ka koi nasha nahi hai ..

Rani pari.. Mere bahadur masiha main tumhari ichha ka Mann rakhungi... Tabhi rani pari ke jisam se do roshni ki lakir nikal sintel aur Gasper me shama gayi ...

Rani pari.. Mere masiha mana tumko kuch nahi chahiye lekin main kuch dena chahti hu .. Meri ek aur khubi hai jo main tumhe dena chahti hu .. Lo mera ye ashirwad raho sada jawan tum aur tumhare jivan sathi ke sath... Lo ye taqat ...

Tabhi ek tezz roshni rani Pari mere nikal mere andar sama gayi .... Kuch pal mera jisam chamakta raha phir normal ho gaya ...

Rani pari.. Albida mere masiha albida phir milenge jivan ke safar me jab tumhe meri jarurat hogi tabtak ke liye albida ..

Rani pari udte huye roshni ban chali gayi ...

Sintel.. Bhai ye rani pari kaha gayi ..

Main.. Kaha aur usi jungle me apne jo bache huye bari jati hai jinhone apne aap ko jungle ke hawale kar diya tha unko jibit karne ... Apna pariwar sona basera phir basane..

Gasper .. Bhai pata bhi hai hum kitne waqt se yaha se dur

the...

Main.. Bhai mujhe kaise pata hoga .. Bolo aab kya karna hai

adventure to khatam ho gayi ..

Sintel.. Abhi thoda aram karna chahta hu .. Ye adventure kafi bhari pada... Pura badan dukh raha tha thakawat se bura hal hai...

Main.. Puch mat yaar mujhe meri sabhi jaan ki behad yaad

arahi hai yaar ..

Gasper.. Mujhe bhi aab to shadi kar hi leta hu kitna tumhe

dekh dekh tadapta rahu..

Sintel.. Tum dono ke pass hi tumhari husn ki malikaye hai ..

Mera kya main Ab bhi akela hu ..

Main.. Kiu jalta hai yaar tere kiye bhi dhund lenge .. Sabar kar sabar... Abhi to hamari kahani suru hui hai tumhe bhi mouka milega yaar apne jalwe dikhane ka ...

Gasper.. Abhi kya kare .. Chalna hai ya yehi rukna hai dragon ke bich ..

Sintel.. Tum dono ka to pata nahi lekin ye in dragons se meri

halat kharab ho jati hai ..

Gasper.. Kiu darts hai dragon king hai hamare pass ..

Main.. Dragon ki sawari karni hai kya loutne ke liye .. Gate

spell ka bhi istemal kar sakta hu agar tum kaho...

Gasper.. Bhai abhi kisi bhi adventure ko biram do gate se chalo.. Pata nahi kitna waqt gujar gaya hai waha kab din hota tha kab raat hoti thi pata hi nahi chalta tha ...

Main khada ho gaya aur hath aage kar gate spell ka intemal kar diya ...

Hamare samne gate khul chuki thi jiske us par meri sabhi jaan mera besabri se intezar kar rahi thi dil ki dhadkane badh gayi thi mujhe mere sabhi jaan ke agosh me waqt gujar na tha ... Maine apne kadam gate ki aur badha diye ......

End of adventure of karma chapter 2 wait for chapter 3 (

world beyond the world )
 
Back
Top