Fantasy दिव्यास्त्र.[The power of five elements](action,advanture,fantasy,magic,thriller) ( Compl...

[color=rgb(40,] UPDATE 90[/color]
[color=rgb(40,]

Shukracharya apni yojnaye bana chuke the or ab tha unhen aajmane ka waqt. Jiske liye agni vayu or jal ke asuro ko prithvi per bhej diya gya tha. Nahi baki ki sena ko pataallok bhej diya tha. Kyu asli ladai to bahi hone wali thi. Aakash ke asur aakash tak hi seemit the. Vo prithvi per filhaal nahi aasakte the. Lekin aakash me apne kadamo ko aage bada sakte the. Sab kuch sahi tarike se abhi tak chal raha tha.

Bahi mujhe raat se hi kuch ajeeb se ehsas hone lage the. Jinka Matlab me achhe se samaj raha tha. Mujhe lagne laga tha ki jald hi asur apna war karne wale hai.raat jaise taise kat gayi. Or subah me apne routine se utha exercise ki dhyan lagaya or ready hoke neeche pahucha to paya ki baha koi nahi hai. Maine mom ko aawaj laga. Lekin koi jawab nahi aaya. Maine bakio ko aawaj lagai to Renu Surbhi Prachi or aalia charo neeche aagyi. Lekin dadu mom mami or mama inme se koi bahar nahi aaya. Mujhe kuch gadbad lag rahi thi.

Isliye me sabse pehle mom ke kamre ke pass gya unka darwaja khatkhataya. To darwaja andar se lock tha. Maine unhe aawaj lagai lekin koi reply nahi aaya. To maine divyastra ka aavahan kiya or me ek dum se gayab hoke darwaje ke aarpaar chala gya or andar se darwaja khol diya. Or jab kamre me dekha to paya ki mom bister per so rahi hai. Vo bhi itni der tak. Ye saket achhe nahi the.

Main jaldi se bister ke pass gya. Or mom ko hilaya. Lekin no response. Maine unhe seedha kiya to me kya dekhta hu. Unke chehre se bahut sara jhaag nikal raha hai. Or na hi unki saas chal rahi hai na unki dill ki dhadkane chal rahi hai.

Ye sab dekhkar me ekdum se jameen per gir gya. Or mujhe aise girte dekh vo charo mere pass aagyi. Or jab unhone mom ki halat ko dekha to unke bhi hosh udd gye.

Aalia jaldi se bahar bhagi or mami ke kamre me ghus gyi. Surbhi mama ke or Prachi dadu ke. Unhe dekhna tha ki baki sabhi sahi hai ya nahi. Mujhe kuch sujh nahi raha tha lekin kuch to karna tha. Isliye maine mom ke sir per hath rakha or janne ki kosis karne laga ki aakhir yaha hua kya hai.

Or hath rakhte hi me achanak se raat me us samay PAHUCH gya jab ye sab suru hua tha. Mom gehri neend me so rahi thi. Tabhi mom ko pyas lagi or unhone bahi rakha hua pani ka gilaas uthaya or usme se pani pee liya or bapis se so gyi. Or thodi hi der me mom ka sarir apne aap hilne laga jisse unhe bahut takleef ho rahi thi. Or mere dekhte hi dekhte unke muh se jhag nikal aaya or unke pran bahi nikal gye.

Ye seen dekhkar Meri aankho se aasu rukne ka naam nahi le rahe the. Or kahi na kahi mujhe aisa hone ki aashanka bhi thi. Ki asur aisa hi koi ghatiya rasta apnayenge.

Lekin filhaal mujhe pata karna tha ki ye akhir kaise hua. To maine kamre ko scan Kiya to me dekhkar hairan tha. Ghar ke pani ke pipe me pani ki jagah ek kala taral padarth beh raha tha. Ye padarth akhir tha kya ye janne ke liye maine apni aankho ko band karke apni thirdeye se use dekha to me dekhkar hairan tha ki ye kaise sambhav ho sakta hai. Ye jo bhi tha. Bahut hi khatranaak tha. Iska koi ilaaj nahi. Or pal bhar me bas mout hi aani hai. Ye tha kaalkut ki ek sabse chhoti bund. Jisne pal bhar me pure pani ko zehreela kar diya tha.

Mujhe samaj me nahi aaraha tha ki ye sab kab Kiya gya hoga or kaise. To maine socha iska peecha karna chahiye. To maine apna size chhota Kiya or ek pani ke pipe me ghus gya. Jo hamare borebell se aata hai. Or iska connection tanki se tha. Lekin jis taraf se panj aaya tha vo iska dusra chhor tha. Jo bore ki taraf jaraha tha. Maine tezi se uska peecha Kiya to me bore tak pahuch gya.

Mera andaja sahi tha ye kala pani bore se hi aaraha tha. Isliye me tezi se neeche Jane laga. Mujhe dekhna tha ki ye dhua kon nikaal raha hai. Or jaise hi me neeche pahucha. Matlab ki pura neeche nahi. Baha tak jaha tak pani bhara hua tha. To baha per ek naag maharaj tair rahe the. Jo pani me apna zehar faila rahe the. Maine unka asli rup dekhne ke liye apne thirdeye ko open Kiya to mere samne guru shukracharya the. Matlab ki inhine ye wish failaya hai. Yakeen nahi ho raha tha mujhe apni aankho per. Ye itna kaise gir sakte hai. Ek divyastra ke liye.

Iske baad vo baha se usi pani ke raste se neeche jameen me chale gye. Or maine bhi unke peeche peeche bahi chala gya.

Pani kafi gehra tha. Lekin vo aasani se usme ja rahe the. Or me bhi unke peeche peeche chala ja raha. Aage chalkar ek chhor aaya jaha se aage Jane ka koi rasta nahi tha. Baha per patharo se pani ris raha tha. To shukracharya ne fir se apna rup badla or vo ek sukshm jeev ban gye or jaha se pani ris raha tha usi raste me bapis se ghus gye. Or me bhi unke peeche pechhe usi apne size ko bahut hi sukshm karke uske peeche pechhe chala gya.

Kafi lumba rasta tay karne ke baad ham ek nadi se bahar nikal aaye. Jaha shukracharya ne apna asli rup liya or fir baha se gayab ho gya.

Or ye dekhkar me hairan reh gya. Ye baat mujhe bhi samaj me nahi aai ki aisa kaise ho gya or kyu. Agar shukracharya gayab ho sakte the to vo usi pani ke bore mese hi kyu nahi ho gye. Yaha tak kyu aaye vo.

Mere man me ye sawal aaya. Or iska jawab bhi mujhe turant hi mil gya. Bo bhi mere samne.

Mere samne jaha se shukracharya gayab huye the. Baha per unke jane ke baad hawa me apne aap kuch likhane laga. Jise maine padna suru kiya.

" ME JANTA HU TUM YAHA TAK JARUR PAHUCH JAOGE DEV. ISILIYE TUMHARE LIYE MAINE YAHA EK SANDESH CHHODA HAI. JO YE HAI KI. AGAR TUM APNE PARIWAR WALO KO FIR SE JEEVIT DEKHNA CHAHTE HO, JO TUM BAKAI ME CHAHTE HI HO. TO PATAALLOK AAJAO OR DIVYSTRA KO MUJHE SOP DO. ME VACHAN DETA HU KI TUMHARI MATA OR TUMHARE BAKI KE PARIWAR KE SARIR SE IS KAALKUT KO ME BAPIS SE KHEECH LUNGA OR VO SABHI FIR SE JINDA HO JAYENGI. OR AGAR UNHE JEEVIT NAHI DEKHNA CHAHTE HO TO TUMHARI MARZI. LEKIN HA YE TO KEVAL SHURUWAT HAI. SHAM TAK YE ZEHAR PURI PRITHVI PER ME FAILA DUNGA AGAR TUMNE YAHA AANE KA JALDI HI NIRNAY NAHI LIYA THA. SAMAST PRITHVI BASI AISE HI TADAP TADAP KAR MAR JAYENGE VO BHI TUMHARI AANKHO KE SAMNE OR TUM ISE ROKNE KE LIYE KUCH BHI NAHI KAR PAOGE. NA HI VO DIVYSTRA. AGAR TUM IS ZEHAR KO APNE ANDAR SAMANE KI KOSIS KAROGE. TO TUMHARI MRITYU HO JAYEGI OR YE MERE LIYE OR BHI ACHHI BAAT HAI. ISKIYE AB FAISLA TUMHE KARNA HAI.."

Ye sab padkar Mera dimaag ghum gya. Mujhe samaj me nahi aaraha tha ki me kya karu. Inki chounuti ko swikar karke baha jau ya yahi rehkar sabki raksh ke intjam karu. Ye pagal ho gye hai or aisa karne me inhe jara bhi der nahi lagegi ye bat me samaj gya tha. Isliye mujhe jo bhi karna tha jaldi hi karna tha. Yahi soch kar maine apni aankho ko khol liya or ab me current situation me aagya tha. Jaha mom bejaan bistar per leti hui thi. Or baki charo mujhe dhayan se uthane ka prayas kar rahi thi.

Maine apni anakho ko khola or unki taraf dekha. Vo charo ro rahi thi. Ham sabhi ke aasu rukne ka. Nam nahi le rahe the. Mujhe ab kuch karna tha. Jo bahut hi khatarnaak ho sakta tha mere liye. Lekin mujhe ye karna tha kisi bhi halat me.

Isliye maine fir se mom ke sir per hath rakha or apni aankho ko band kiya. Or mahadev ka naam lekar us zehar ko mom ke sarir se nikalna suru kiya. Meri thirdeye zehar ko mom ke sarir ke har kone se kheech kar mere andar kheechne lagi thi. Zehar pure sarir me fail chuka tha. Lekin ise nikalna jaruri tha. Tabhi kuch ho sakta tha. Thodi hi der me mom ke sarir ka sara zehar mere andar aachuka tha. Or mom ka sarir jo neela pad gya tha. Ab fir se apne asli rang me loutne laga tha. Or shukracharya ki bate aunkar mujhe yakeen ho gya tha ki koi bhi mara nahi hai abhi. Kyuki mare hue insan ko zinda karna aasan nahi hai. Sayad ye sab mujhe darane ke liye tha. Baki to mahadev ki marzi. Mujhse Jo Ho sakta tha vo mujhe karna tha.

Mom ke baad me mami ke kamre me gya or unke sarir se bhi maine zehar ko dheere dheere nikaal liya. Or fir aise hi dadu or mama ke sarir se bhi. Or zehar wala pani hamne bhi piya tha lekin uska asar ham per nahi hua tha. Isliye mujhe ummid thi ki me ise sehan kar sakta hu. Or isiliye maine sara zehar apne andar sama. Liya.

Or ab asli paresani suru Hui. Zehar mere dimaag per seedha asar kar raha tha. Me concentrate nahi kar pa raha tha. Mera sarir neela padne laga tha. Like pura sarir. Or zehar ko kabu karne ke liye mujhe concentration ki sakht jarurat thi. Lekin me nahi kar pa raha tha. Meri aankho se mujhe dhundla dikhna bhi suru ho gya tha. Mere hath pair jaam hone lage the. Thoda bahut ZEHAR to me jhel sakta tha lekin itna nahi. Or ye usi ka parinaam tha.

Isliye ab is situation se keval mahadev hi meri sahayta kr sakte the.

Isliye me bahi neeche baith gya. Vo charo mujhe sambhalne ki kosis kar rahi thi. Me baith nahi pa raha tha. Isliye Prachi ne mujhe peeche ludakne se pakde hue tha. Or aage se Renu ne mujhe sambhala hua tha. Aalia meri garden ko pakde hue the. Jo baar baar latak rahi thi. Or Surbhi in sabki madad kar rahi thi.

Mujhe abhi bhi hosh tha. Isliye maine apni aankho ko band kiya jo apne aap hi band ho gyi thi. Or band hote hi maine man me apne mantra ka jaap karna suru kiya. Mera antarman bahut hi muskil me tha. Use thirdeye tak pahuchne ka rasta nahi mil raha tha. Mere andar hamesha Jo ujala rehta tha vo ab andhkaar me badalne laga tha. Lekin me janta tha ki yahi ek rasta hai mere theek hone ka. Or me bahi kar raha tha.

Main lagataar mantra ka jaap kar raha tha man me. Mere honth kaap rahe the. Aawaj nikalna band ho gyi thi.

Me puri tarah se kho gya tha apne dhyan me. Ya me so gya tha pata nahi. Tabhi mere man me ek chhoti si low jalni suru hui.or uske jalte hi mujhme ek dum se jaan bapis aane lagi. Is low ke ujale me man ko rasta mil gya. Or mera concentration fir se bapis aane laga. Or jaise thi thirdeye open Hui. Uske baad to jaise andar ujale ki bharmaar hone lagi. Sara andhkaar pal bhar me gayab hone laga. Or meri haalat theek hone lagi. Jaise mujhe fir se hosh aagya ho. Or aisa hote hi. Me apne dhyan ko fir se aage badane laga.or zehar ko sarir me nuksan karne se rokne laga. Or zehar ko kheech kar ek jagah per ekatha karne laga. Mere sarir ka rang dheere dheere normal hone laga. Jise dekhkar Baki sabhi ki chinta mitne lagi. Or un sabhi ke aasu saaf hokar chehre per muskaan bapis aane lagi.

Ab mujhe ye samaj me nahi aaraha tha ki is zehar ka me karu kya. Ise aone andar rakhna ghatak ho sakta hai. Bahut hi ghatak. Or bahar rakhna usse bhi ghatak. Me ise gale me nahi rokna chahta tha. Verna log meri tulna mahadev se karne lagenge Jo me nahi chahta tha. Tabhi maine socha ise filhaal andar rakhna hi behtar hai. Baki baad me dekhunga. Isliye maine pure zehar ko apne dahine pair ke anguthe me store kar kiya. Or uske asar se mera pura angutha Neela pad gya tha. Lekin ye sahi jagah thi. Isse ye kisi ki najro me hi nahi aayega. Baki sabhi jagah ye kisi na kisi ko dikh hi jayega. Or aisa karte hi maine apni aankho ko khol liya. Or aankhe kholte hi vo charo mujhse lipat gayi.

Maine unhe santvana di ki sab theek ho jayega.

Or me khada ho gya.

Main- suno kaam abhi suru hua hai. Aap sabhi apne apne anso ke sthan per pahuche jaldi or baha per ye dhyan rakhe ki koi bhi ye zehar faila na paye. Agar kisi tarah faila bhi de to. Aapko apni shaktiyo ka istemal karne se is zehar ko failne se roka hai. Yaad rahe aap use apne sarir ke andar mat lena. Jaise pani me faile to. Utne pani ko ek sath karna or apni shaktiyo se use roke rakhna failne mat dena. Samajh gyi sabhi.

Ye sunke unhone apni garden hilai.

Main- or ha aap sabhi ka intjaar baha per vo amar wale asur kar rahe honge isliye saavdhan rehna or unhe khud per hawi nahi hone dena hai. Vo ho sakta hai zehar ko failane ki puri kosis karenge lekin tumhe baisa nahi hone dena hai.

Aalia- sabse pehle ek kaam karo. In amar asuro ko perlok bhej do. Taki yaha ka Sankat hat jaye. Ham charo milkar bbi unka samna nahi kar payenge. Bas unhe rok sakte hai vo bhi jyada der tak nahi. Lekin tumhare pass divystra hai jo unki kamjori hai. To uska istemaal karo or khatm kar do sabko. Uske baad aage ki sochenge.

Ye sunke main hairan tha ki aisa Maine kyu nahi socha.

Main- sahi kaha. Ye maine kyu nahi socha. Faltu me unko itna bhav kyu dena.

Renu- dev mom or bakio ka kya hoga. Kya vo uthengi

Ye sunte hi me shant ho gya.
Lekin bolna bhi tha mujhe isliye himmat karke bol utha.

Main- mujhe nahi pata hai. Bas Yakeen rakho sab theek ho jayega. Mahadev sab theek karenge.

Uske baad ham sabhi ek sath apne divyastra wale rup me aagye. Uske baad maine divystra se vinti ki un sabhi asuro ka sthan batane ki. Jo aapki shaktiyo se amar banne ka dhong kar rahe hai. 5 to meri qaid me hi the. Baki ke bahar ghum rahe the.

To mujhe sabse pehle Bayu balo ka pata Mila. Or me udd gya turant hi. Vo or kahi nahi. Mere ghar ke uper hi udd rahe the. Mujhper najar rakhne ke liye. Or jaise hi mujhe unhone uper aate dekha sabki halat bigadne lagi. Or vo bhagne ka prayas karne lage. To maine divystra ko aage kar diya. Or aisa karte hi vo jaha the bahi ke hoke reh gye. Vo Bayu the jinhe koi qaid nahi kar sakta tha. Lekin Bayu dev aisa kar sakte hai. Or bahi yaha hua. Vo charo jinda the lekin keval aankho se. Unka baki ka sarir bejaan ho gya tha.

Me unke karib gya or unse kaha.

Main- bahut ho gya tum sabhi ka. Ab fir se hamesha ke liye sone ka waqt aagya hai. Aakhiri samay meahadev ka smaran kar lo. Sayad moksh mil jaye.

Ye kehke maine apne man me bahi socha or divystra ne uske agle hi pal apne andar se kuch nikala nahi. Balki un sabhi ki shaktiyo ko apne andar kheech liya. Or shaktiya jate hi vo apne asli rup me aagya. Jo bejaan jameen per girne laga tha. Lekin yaha bhi inki kismat kharab ki ye mere kavach se ja takrai or pal bhar me jal kar rakh ho gye.

Iske baad maine Prachi ko bulaya or usse kaha ki uska rasta ab saaf hai. Najar rakho.

Or me bad gya jal asuro ki taraf. Vo bhi sehar ki jheel me ruke hue the. Jaha se sare sehar ko pani supply hota hai. Or apne aadesh ka intjaar kar rahe the. Or jaise hi main pani me gira un sabhi ko pani ke andar hi bahut hi bade bade bizli ke jhatke lagne lage. Or aisa hona laajmi bhi tha. Unke bas pran nahi nikal rahe the. Baki takleef unhe full ho rahi thi. Or maine fir se man me socha or divystra ne in sabhi ko bhi shaktiya cheen li apne andar. Or uske baad ka kaam bijli ne kar diya. Bijli ne unhe pani ke andar hi jala kar rakh kar diya. Jo mumkin nahi tha. Isliye bijli ne unhe pani se uper hawa me uchhala or bahi per unka kaam khatam.

Ab bari thi agni ans ki. Or baha jane se pehle maine surbhi ko bulaya or najar rakhne ko kaha.

Or me nikal gya agni ans ki talash me. Jinhone is waqt sehar ki ek factory ko jalaya hua tha. Or khud bahar bheed me darshak bane khade hoke tamasha dekh rahe the. Main neeche nahi gya. Uper hi raha or bahi se divystra ne unki shaktiya kheech li. Jiske baad vo bahi bheed me hi bejaan hoke gir gye. Or kisi ka dhyan bhi nahi gya un per. Bechare itne khatarnaak asur or itni aasani se maare ja rahe the. Or fir gya me aakash me. Per again baha Jane se pehle Renu ko yha bula liya or is aag ko shant karne ko kaha. Renu bahi bheed me khadi hui or pal bhar me sari aag ko bahi ke bahi shant kar diya. Or us aag se un agni asuro ke sarir ko pal bhar me bhasm kar diya.

Or me nikal gya prithvi se bahar. Jaha vo dono asur bas Mera hi wait kar rahe the. Prithvi se bahar nikalte hi uunhone ekdum se mere uper koi jaal jaisa fek diya. Jisne mujhe jakad liya. Maine apne hath pairo ka istemaal Kiya lekin kaam nahi bana to. Divystra ka istemaal karna pada. Or divyastra ne itni tez kampann se sound waves nikalna suru kiya ki uske prabhav se vo jaal thodi hi der me tut kar bikhar gya. Space me sound nahi hota hai. Lekin agar ho jaye to tabahi la sakta hai. Or isi liye baha sound nahi hota hai.

Us sound waves ki chapet me vo dono bhi aagye. Or uchhal kar dur ka gire. Or uthkar sambhal pate usse pehle hi divystra ne apna kaam kar diya. Pal bhar me unke bejaan sarir space me tairne lage. Or agla kaam kiya mere thirdeye ne. Pal bhar dono ke sarir ko rakh me badal diya. Ab nache the mere qaid wale asur to maine apni aankho ko band kiya or divystra se aavahan Kiya unko nast karne ka. Or usme baad un ko bahar nikalne ki bhi jarurat nahi padi. Divyastra ne unhe unki qaid me hi nast kar diya.

Ab sare amar asur khatm ho chuke the. Or ab bari thi in sabke Guru ki jo mera intjaar pataallok me kar rahe the.

Lekin baha jau ya nahi yahi sabse badi problem mere samne the. Dill keh raha tha ki jau or dimaag keh raha tha ki na jao. Kyuki ab yaha ki situation sambhal chuki thi. Isliye me baha na jau. Lekin fir se bigadne me samay nahi lagega ye mera dill keh raha tha. Or mom or baki sabhi ko bhi theek karna tha. Jiske bare me keval shukracharya hi jante the. Isliye mujhe baha Jana hi chahiye. Or agar unhone puri peithvi per zehar chhod diy to pata nahi me use rok paunga bhi ya nahi. Isliye sab thatyo per sochne ke baad maine baha Jane ka nirnay liya. Or me aage bada hi tha ki mujhe gurudev ki aawaj sunai di.

Ab dekhte hai ki gurudev kya kehte hai dev se. Or dev kya karega gurudev ki bato ko sunkar.......

[/color]

[color=rgb(40,]To be countinue.......[/color]
 
[color=rgb(40,] UPDATE 91[/color]
[color=rgb(40,]

Gurudev ki aawaj sunkar me ruk gya. To unhone mujhe peeche mudne ko kaha or jab me muda to vo mere samane khade hue the. Maine unhe bahi per pranaam Kiya.

Gurudev- vijai bhav vats. Safalta tumhare kadam chume. Tumhe koi bhi parast nahi kar paye.

Main- dhanyabaad gurudev. Aapke aasirbaad ki mujhe sakht jarurat thi

Gurudev- me janta tha isiliye to yaha aaya hu.

Main- gurudev meri mom mami or baki ka kya hoga. Kya vo jeevit ho sakte hai ab

Gurudev- tum apni taraf se jitni kosis kar sakte the tumne ki hai vats. Ab nirash mat ho. Mahadev per bharosa rakho vo jo bhi karenge vo achha hi hoga.

Main- isi ke bharose to me abhi tak jeevit khada hua hu. Verna mere pran to kabke nikal gye hote.

Gurudev- aisa nahi kehte Bache. Sab theek ho jayega.

Main- me bas yahi sunna chahta tha. Ab mujhe Jana hoga gurudev. Shukracharya ke pass.

Gurudev- me tumse kuch mangna chahta hu vats.

Ye sunke mere kaan ek dum se khade ho gye. Or maine gurudev ki taraf dekha.

Main apne ghutno per apne hatho ko jod kar baith gya.

Main- aagya kare gurudev.

Gurudev- vats me chahta hu tum kisi bhi halat me is divystra ko shukracharya ke hath nahi lagne do. Fir chahe iske liye tumhe kuch bhi Kyu na karna pade. Tum vo karo. Parantu ye divystra unke hatho me nahi lagna chahiye. Or ho sake to jeevit loutne ka prayas karna vats.mujhe vacahn do vats ki tum mere bachno ka palan karoge. Me tumse apni gurudakshina me ye vachan chahta hu.

Ye sunke maine unki taraf dekha to unka chehra ek dum sakht bana hua tha. Jaise vo jaan gye the ki mere baha Jane per kya hone wala hai.

Maine apni aankho ko band kiya or ek lumbi saas chhodi or fir aankho ko khol kar unhe dekha or fir bolna suru kiya.

Main- gurudev aapke dwara kahe gye har vachan ka me palan karunga. Ye mera vachan hai aapko.me divystra ko shukracharya ke hatho me nahi lagne dunga fir chahe iske liye mujhe apne prano ka balidaan hi kyu na dena pade. Ye divystra ya to mere pass hi rahega ya fir se is brahamand me vileen ho jayega.

Gurudev- mujhe tumse yahi ummid hai vats. Agar Tumne apna ye vachan nibhaya to tum guru dakshina ke bandhan se mukt ho jaoge. Ab utho or vinash kar do un sabhi asuro ka jo aapne aap ko bhagwan se bada samajhne lage hai. Or apni keerti ko visv me faila do.

Vijayi bhav vats.....

Ye kehke vo gayab ho gye me apni mundi ko neeche hi karke baitha raha. Or fir mundi ko uper karke me khada hua. Or apne divyastra ko apne hatho me pakda or use gour se dekha or usse mujhe pataal lok le chalne ko kaha.

Or aisa kehte hi me baha se gayab ho gya. Or seedha nikla pataallok me. Jaha ka vatavaran bakai me kafi bhayanak tha. Charo taraf se manhusiyat ki gandh aarahi thi. Deewaro per ajeeb se jaanwar chipke hue the jo mujhe apna khana banane ke liye bekrar dikh rahe the. Lekin me unse bina dare aage badta gya. Or thoda aage chalne per mujhe do asur dikhai diye Jo mujhe dekhkar khade ho gye. Or fir haste hue meri taraf aaye.

A1- to ye vo bacha hai. Bichara aaj moksh ko prapt ho jayega. Aap bache hamare sath. Gurudev tumhara intjaar kar rahe hai.

Ye kehke vo aage chalne lage or me unke peeche peeche.

Me charo taraf ka mahol dekh raha tha. Jaha sabhi asuro ke muh se kaar tapak rahi thi mujhe dekhkar. Pata nahi ye yaha kaise rehte hai. Achha hai ki ye prithvi per nahi hai. Verna ek raat me hi prithvi ko pataallok bana denge.

KHair vo dono mujhe ek mehal ke andar le gye jiske bahar bhari matra me asur khade hue the. Aone hathiyaro ke sath. Or mehal kr andar ek bacha singhasan per baitha hua tha. Jise dekhkar hi me samaj gya ki ye medhavi hi ho sakta hai. Or usi ke baju me shukracharya baithe hue the. Jinke chehre per ek vijayi muskaan thi. Or aisi hi muskaan baha moujud har kisi ke mukh per bani hui thi.

Brahamin hone ke nate Maine shukracharya ko pranaam Kiya.

Shukracharya- bahut hi achha nirnay liya hai tumne dev yaha aakar. Ab bina samay ko barbaad kiye divystra ko mere hawale kar do. Or me tumhe vo ausdhi ka naam bataunga jisse tum apne pariwar ko punah jeevit kar sakte ho. Unke sarir se zehar to tum nikaal hi chuke ho. Jise dekhkar bakai me mujhe bahut hairani Hui thi. Ki itna zehar grahan karne ke baad bhi tum jeevit bach gye. Lekin kaise bache ye mujhse behtar tum jante hi ho. Or agar maine or jyada matra me zehar faila diya to tum bhi use nahi rok paoge.

Ye sunke mere chehre per ek muskaan aagyi. Or me bola unhe.

Main- aap ek guru hai or ek brahmin bhi. Fir bhi asatya bolte hue aapko jara bhi lajja nahi aati. Aayegi bhi kaise. Jab sangat hi kharab ho to bache ko dosh dena agyanta hoti hai. Aap asuro ke guru nahi. Balki asur aapke guru ban gye hai. Aapko inhe siksha deni thi lekin ab ye aapko sikhsha dete hai. Aapko inhe badalna tha lekin unhone aapko badal diya. Or aaj sara sansaar aapko smaran bhi nahi karta hai. Keval aapke is faisle ki bajah se.

Ye sunke unka chehra ek dum se utar gya. Or unke chehre per gusse ke bhav aane lage. Jo aaj fatne wala tha.

Shukracharya- ha tumhari bato me bahut sachhai hai dev. Asur hi ab meri pehchan hai. Lekin maine ye khud nahi chuni thi. Balki mujhe chunne per majbut kiya tha. Un DEVTAO ne. Jinhone mujhe nahi mere bhai ko apna guru bana liya tha. Or mujhe dar dar ki thokar khane ko vivas kar diya tha. Us samay asuro ne mera sath diya tha. Or fir maine pran liya tha ki inke liye jo bhi sahi hoga me vo karunga me fir chahe vo swayam bhagwan ke khilaaf hi kyu na ho.or mujhe garv hai ki maine apne pran ko bakhubi nibhaya hai abhi tak.

Main- gusse or jalan ne apko andha bana diya hai. Aap dev guru isliye nahi chune gaye the Kyuki aap uske kabil nahi the. Aap me kuch kamiya thi jo aaj sabke samne hai swayam aapke bhi. Fir bhi aapne abhi tak satya ko swikaar nahi kiya hai.

Ye sab sunke medhavi ko mirchi lag gyi or vo apne singhsan se khada ho gya or bola.

Medhavi- saavdhan dev. Tum hamare Guru ka apmaan kar rahe ho. Jo ham katai vardast nahi karenge. Ye meri antim chetavni hai tumhare liye. Isliye achha hoga ki chupchap divystra ko gurudev ko sonp do or nikal jao yahan se. Verna me bhi fir kuch nahi kar paunga. Kyuki yaha moujud har sakhs tumhara khoon peene ke liye bekabu ho raha hai.

Main- ha me janta hu ye baat bahut achhe se. Lekin afsos lagta nahi ki aaj inme se kisi ka bhi ye swapn sach hoga. Or rahi baat divyastra ko sopne ki to bhul jao ise. Me yaha ise sopne nahi aaya hu. Balki ek antim chetavni dene aaya hu sabhi ko. Ki abhi samay hai sudhar jao. Verna baad me mujhe nahi lagta ki me kuch kar paunga tum sabki bhalai ke liye.

Ye sunkar shukracharya ka chehra gusse se lal hone laga or baki ke asur hasne lage vo bhi jor jor se. Jaise maine koi joke sunaya ho unhe.

Tabhi shukracharya ne jor se chilla kar sabhi ko shan't karwaya or mujhse bole.

Shukracharya- kya ye tumhara aakhiri faisla hai.

Main- ha

Shukracharya- soch lo.

Main- soch liya. Me janta hu aapke pass ab kaalkut nahi bacha hai. Jitna tha vo sab aap mere pariwar ke uper istemaal kar chuke ho. Or ab aapke pass keval ek hi rasta hai mujhe yaha se jane do. Verna yaha tandav suru ho jayega. Jisme kisi or ka nahi balki aapka or aapke priye in asuro ka vinash hi hoga.

.ye sunke unke chehre per ek muskaan aagyi or fir vo aone sabhi asuro se bole.

Shukracharya- mere Sisyo jara is balak ko batao ki asuro se takrane ka kya anjaam hota hai. Ise asuro ki asli takat ko dikhao.

Ye sunte hi baha moujud asur mujhe serious dekhne lage or meri taraf badne kage charo taraf se. Mujhe ek ghere me band kar liya tha un sabhi ne.

Or me janta tha ki ab mujhe kya karna hai. Maine divystra ka abahan kiya or aisa karte hi mere hatho me vo aagya or aate hi itni bhayankar roshni paida ki jisme lagbhag sabhi andhe hi ho gye. Or yahi vo mouka tha jiska mujhe laabh uthana tha. Kisi ko kych bhi nahi dikh raha tha. Or isi mouke ka fayeda utha kar maine divyastra ki vinash kari shaktiyo ka aavhan Kiya or baha moujud har asur ke uper unka prayog. Divystra ne apne andar se aag ka aisa mixer nikala jisme pura ka pura mehal hi pighalne laga. Or baha moujud sare asur is agni me jalne lage. Charo taraf se cheekho ke siva kuch sunai nahi de raha tha. Tabhi shukracharya ne apne kamandal se jal nikaal kar usper koi mantra pada or use mahel me chhod diya. Or aisa karte hi jo roshni utpann hui thi vo nahi per samapt ho gyi. Or ab sabhi asuro ko dikhne laga ki ye agni kaha se aarahi hai. Or vo uski ulti disha me bhagne lage. Or tabhi shukracharya ne apne hatho se ek pani ki lehar ko nikalna suru kiya or pani padte hi aag thandi padne lagi. Ye sab is jagah ka asar tha jo unke jadu is astra per bhari pad rahe the. Ye baat sabhi achhe se jante the.

Jaise hi aag nikalna band hua to baha per asuro ki sankhya aadhi se bhi kam Reh gyi thi. Or ye dekhkar medhavi ko gussa aagya or or vo bahi se udta hua mere taraf aaya uske hatho me ek talvar thi. Or usne mujhe per uska vaar kar diya. Lekin astra ne use rok diya. Uske baad maine astra se ek talavar banne ko kaha or aisa kehte hi vo ek talvar me badal gya. Or fir shuru hua mera or medhavi ka yudh. Baki sabhi keval tamasha dekh rahe the. Medhavi ek chapal talvar baaz tha. Mere har war ko vo achhe se janta tha. Isliye use rok de raha tha. Or usme waro ko me. Lekin vo baht tezi se hamla kar raha tha. Meri najar yaha ke prabhav se kamjor padne lagi thi. Or meri speed bhi. Jiski bajah se vo mujhper bhari padne laga tha. Na chahte hue bhi. Or yahi mouka dekhkar medhavi ne badi hoshiyari se
Mere sarir per kuch khas jagaho per talvar chala di. Jis bajah se mera khoon nikalne laga. Or mera sarir or kamjor padne laga. Ek baar mere right hand per tha jis bajah se mera hath aap aasani se move nahi kar pa raha tha. Or medhavi ek ke baad ek war mujhoer karte hi ja raha tha. Or baar baar adhira ka naam le raha tha. Or keh raha tha ki ye unke liye hi hai. Baki bache asur ye sab tamasha dekh kar kushi mana rahe the. Or shukracharya ke chehre per bhi ek kutil muskaan aa gyi thi meri haar dekh kar.

Tabhi mouka dekhkar medhavi ne mujhe ek kick mari jisse me thodi dur Jake gira. Or mujhe sambhalne ka thoda mouka mil gya.

Main- karahte hue. Aahhhh apne baap ka badla le rahe ho. Bichara use pata bhi nahi chala ki kab uska sarir rakh me badal gya. Or mujhe ummid hai tumne unki asthiya utha li hogi baha se. Verna bechare ko shanti nahi milegi. Kyu utha li thi na.

Ye sunke uska chehra dekhne layak tha. Kisi rote hue bache ki tarah ho gya tha. Or ye sab sunke vo or bhadak gya Jo me chahta tha. Or vo tezi se meri taraf doudte hue aaya. Or jaise hi usne meri garden per talvar chalane ke liye uthai usi samay me ghum gya or uska nishana chuk gya. Or vo kuch karta uske pehle hi meri talvar uske seene me ghus gyi or aar paar nikal gyi. Or aage koi or kuch samajhta usse pehle hi maine talvar ko uper ki taraf sarka diya. Vo bhi puri takat se. Jisse seene se lekar uski khopdi tak ka hissa do bhago me bat gya. Or ye sab itni jaldi hua ki kisi ko kuch samajhne ka mouka hi nahi mila. Or sabhi ko dikha to bas medhavi ka sarir jo jameen per bejaan pada hua tha. Or itna khoon baha raha tha jitna koi soch bhi nahi sakta tha.

Baha moujud sabhi ki anakhe fati ki fati reh gyi. Kisi ko viswas nahi ho raha tha ki unka raha itni buri mout mara jayega. Or itna waqt kafi tha mere jakhmo ko bharne ke liye. Shukracharya ki aankho se aasu nikal aaye the ye seen dekhkar. Or baki sabhi ki fat kar hath me aagyi thi. Ki ab kya hone wala hai ye soch kar hi sabki dhadkane badne lagi thi.

[/color]

[color=rgb(40,]To be countinue.......[/color]
 
[color=rgb(85,] UPDATE 92[/color]
[color=rgb(85,]

Medhavi ki mout dekhkar shukracharya ko behad gussa aane laga tha. Or unhone usi gusse se jal nikala or usper matra jaap karke chhod diya. Or aisa karte hi jo jal baha jameen per gira vo achanak se ek rup lene lag gya. Kisi vishal jeev ka rup. Jo pehle to samaj me nahi aaya lekin jab ban kar ready ho gya tab samaj me aaya. Ye ek dragon tha. Bahut hi vishal or udne wala dragon or muh se jwala nikalne wala bhi. Uski chamdi itni sakht thi ki meri talvar ko tut jayegi lekin iss kharoch tak nahi aayegi.ise shaktiyo se hi harana padega. Isliye meri talvar ko maine divyastra me badla or baha se udd gya.

Shukracharya- jao or servnash kar do uska.

Ye sunte hi dragon ne ek bahut hi bhayankar dahad mari or aone muh se itni bhayankar jwala nikali jisme pressure se me or dur ko udd gya. Maine peeche palat kar dekha to vo bhi ud kar mere pechhe aane laga tha. Isliye maine apni gati badai. To uski raftaar bhi tez hi gyi. Or hogi bhi kyu nahi. Mayabi ho tehra. Vo baar baar mujhper aag ugal raha tha. Or divystra mujhe us aag se theek samay per bacha le raha tha.

Maine peeche dekha to vo mere bahut karib aagya tha or apana muh pura khol kar mujhe nigalne ko kosis kar raha tha. Tabhi maine divyastra ka mukh uski taraf kiya or shakti ka prayog kiya jo seedhe uske khule mukh se uske dill me jake lagi. Or aisa hote hi Uska dill ka dhadakna kuch der ke liye ruk gya. Or vo jhatpatata hue neeche girne laga. Or isi mouke ka fayeda utha kar maine ruka or divyastra ko ek aisi talvar me badalne ko kaha jo aasani se iski chamdi ko cheer sake.

Mera aisa kehte hi divyastra baisi hi talvar me badal gya. Or me use leke neeche ki taraf tezi se jane laga. Ham kafi unchai per the isliye neeche jane me hame waqt lag raha tha. Dragon abhi bhi jhatpata raha tha. Isi mouke ka fayeda utha kar me tezi se uske bagal me gya. Or talval uske pet me ghusa di. Or bahi per ruk gya. Mere rukne se talvar bhi ruk gyi. Lekin dragon tezi se neeche hi ja raha tha. Or aise hi meri talvar use neeche se uper cheerti Hui nikal gyi. Or dragon ka kaam tamam hogya. Or me is baat ki kushi mana hi raha tha ki peeche se mere uper hamla hua or me tezi se udta hua thoda dur ja pahuncha or par kate pakshi ki tarah neeche gir gya. Jo ek khali maidan tha. Mere girte hi. Baha per charo taraf gehra gadda ban gya.

Me thodi der ke liye ek dum sunn ho gya. Mujhe kuch samaj me nahi aaya ki kya hua or kaise hua.

Or achanak se me hila. Jaise me ekdum neend se jaag gya hu. Or jaagne ke baad maine aaju baju dekha to me ek gadde me pada tha. Halat kharab ho gyi thi. Maine karbat badli or hatho ka prayog karke apne ghutno per aaya or baju me pade divystra ko utha liya. Tabhi mere kano me kuch aawaj padi. Jo kadmo ki thi bahut sare kadmo ki. Puri jameen hil rahi thi. Unke kadmo se. Bhayankar kampann utpann ho raha tha. Or ye aawaje mere right side se aarahi thi. Isliye maine us taraf mundi ko ghuma kar dekha. To me hairan reh gya. Mere samne karib 1 lakh se bhi jyada asur chale aarahe the. Kuch bahut hi bhadde the. Or kuch bahut hi bekaar. Dekhkar mujhe to ulti hone lagi thi. Or un sabke aage chal raha tha medhavi. Jise maine abhi kuch der pehle hi maar diya tha. Ek pal ko to mujhe Yakeen hi nahi hua ki ye jinda kaise ho gya. Fir mujhe yaad aaya ki mrit sanjeevni vidya.

Shukracharya ke pass ye vidya thi or vo kisi ko bhi jeevit kar sakte the. Jiska sarir sahi salamat bacha hai.

Ye yaad aate hi maine apna matha peet liya. Or socha iska ant kabhi hoga bhi ya nahi. Me soch raha tha or vo mere karib aate ja rahe the. Tabhi maine socha ki ye sab chhodo or khade ho. Inka mukabla karo. Inka ant ab alag tarike se karna padega. Jaise abhi tak karte aaya hu.

Ye sochkar me fir se khada hua or gadde se bahar nikla.

Me akela or mere samne lakho ki bheed. Soch hi sakte ho iska kya parinaam hone wala tha.

Tabhi mere peeche se aawaj aai.

Madad chahiye.

Ye aawaj sunke mere chehre per hasi aagyi. Kyuki ye aawaj Renu ki thi. Or me sure tha ki uske sathi baki sabhi bhi yaha aai hongi. Isliye me peeche muda jaha vo charo apne asli avtar me khadi hui thi hatho me hathiyar liye.

Prachi- tumhari halat to bakai me kharab ho gyi hai.

Main- ha mamla thoda hath se nikal gya tha. Verna Maine sab sambhal liya tha.

Aalia- vo to dikh hi raha hai. Ab ye batao ki hame bina sath liye tum yaha akele kyu aaye.

Main- filhaal ye matter chhod de to kaisa rahega. Kyuki samne bahut hi badi samasya hai.

Surbhi- isko baad me dekh lenge. Aalia. Don't worry pura hissab lenge ham.

Tabhi mujhe samne se medhavi ki aawaj aai.

Medhavi- abhi bhi mouka hai haar manlo or hame vo astra de do.

Main- ye sawal tab puchhna tha jab maine tujhe do hisso me baat diya tha abhi kuch der pehle.

Medhavi- dhoke se.

Prachi- kya ise maar diya tha tumne. Fir ye jinda kaise hua.

Main- sanjeevni vidya se kar diya hoga shukracharya ne.or samaj ko kisi ka bhi sarir salamat mat chhodna.

Renu- ok captain.

Main- bakwas band karo.

Vo charo mere bagal me aagyi.

Main- medhavi me tumhe ek aakhiri mouka deta hu. Chale jao apni sena ko leke. Verna iske baad jo anjaam hoga uske jimmedar tum khud hoge.

Medhavi- me tayyar hu anjaam bhugatne ko. Kya tum ho.

Main- hamesha se.

Ye kehke medhavi ne apni sena ko hamla karne ka aadesh de diya or vo sabhi jaanvar chillate hue hamari taraf badne lagi. Or yaha hamne bhi unki taraf Doud laga di.

Or jaise hi ham karib pahuche ham sabhi ek sath uchhal gye. Or dhadam se unki sena ke beech gire or hamari shaktiyo ka beg itna jyada tha ki aas pass ke asur to usi beg se udd gye. Tabhi Prachi ne Bayu ka bawandar banaya bahut hi tez. Or renu to apni talvar jisko bhi laga rahi thi vo usi samay rakh me badalta ja raha tha. Bahi aalia bhi apni chhadi ki shaktiyo ka bakhubi istemal kar rahi thi. Or surbhi apni talvar se barf nikaal kar jama rahi thi sabhi ko. Or aalia un jame hue logo ke tukde kar rahi thi. Prachi ka bawandar asuro ko apni chapet me lene laga tha. Tabhi maine divyastra ka istemaal karke us bawandar me bhayankar bijli utpann kar di. Or ab vo bawandar sabhi ko bhasm karta ja raha tha.

Bahi me apni shaktiyo ka kam or apne hatho ka istemaal jyada kar raha tha. Divyastra ko talvar me badal kar.

Tabhi medhavi me kuch kiya jisse vo bawandar turant hi band ho gya lekin usme se keval rakh hi nikli.uski sena ki.

Or isi gusse se vo meri taraf bada or me uski taraf.

Or vo uchhal gya or me bhi or hamari shaktiya hawa me takra gyi. Or aisa hote hi hawa me bhayankar beg utpann ho gya.

Medhavi- tera ant me karke hi rahunga.

Main- lekin aaj nahi.

Ye kehke maine apne hatho se aag nikalna suru kiya or maine jaha uska hath pakda hua tha baha use jalan hone lagi.

Medhavi- ye chal achhi hai lekin kaam ki nahi hai.

Main- to fir ye kaise hai.

Ye kehke maine hath ko thanda kar diya or jaha use pakda hua tha. Baha se use me barf me jamane laga. Barf kafi tezi se uske sarir per Chad gyi or vo bahi jam gya. Or uske jamte hi maine use neeche chhod diya. Or vo tezi se neeche girne laga. Mujhe laga girte hi ye tut jayega. Lekin sala girne se ek sec. Pehle hi pata nahi kaise uske sarir per jami barf pighal gyi. Or vi sahi salamat neeche gira. Ye dekhkar me tezi se neeche gya. Apni talvar ko seedha karke. Jo seedhe uske seene me dhasne wali thi. Lekin sala fir bach gya. Baju hat gya. Lekin ye dotarfa hamla tha. Jameen per talvaar lagte hi. Takvar se bhayankar bijli nikli like bahut hi bhayankar. Or charo taraf fail gyi. Medhavi ne khud ko kaise bachaya pata nahi. Lekin baki jitne bhi asur uski chapet me aaye vo nahi bacha paye khud ko Or jal kar rakh ho gye.

Ye dekhkar medhavi ka gussa bad gya. Or usne apna aakaar bada kar liya. Itna ki mujhe aasani se kuchal sake. Ye dekhkar ham sabki aankhe fati ki fati reh gyi.

Aalia- ye kya karne ko soch raha hai.

Main- sayad hame kuchalne ki.baise ye hamare kiye mouka hai.

Renu- me samaj gyi.

Ye kehke Renu speed se uski taraf badi or jor se talvaar uske pair me ghusa di. Tabhi main or Prachi udte hue gye or ek ek punch uske thobde per jad diya. Jisse vo neeche girne laga. Vo bhi usi ki sena per.

Main- hoshiyar hai per hai to bacha hi.

Surbhi- sahi kaha. Lekin yaha isi sena bache nahi hai. Ye khatm hone ka naam hi nahi le rahe hai.

Renu- dev kuch bada try karna chahiye. Taki ye sab jaldi khatm ho sake. Kyuki ham aise hi mahino tak lage rahenge tab bhi ye aise hi ladte rahenge.

Main- baise me bhi kuch aisa hi soch raha tha. Ek kaam karo tum sabhi mere peechhe aajao. Jara inko apni asli takat ka namuna dikhate hai.

Prachi- badiya hai.

Ye kehke sabhi mere peeche aagyi. Or maine apni aankho ko band kiy apne hatho ko joda or man me apne mantra ka jaap Kiya. Or aisa karte hi thirdeye khul gyi. Or ab samay tha inko batane ka ki meri takat ye divyastra se nahi hai.

Maine thirdeye se sabhi ko dekha lagbhag 50000 asuro ko jo is waqt baha ladai karne hamari taraf hi bad rahe the.

Aisa samajhiye ki me ek sath sabhi ko nishana bana raha tha. Ek hi baar me sari sena ko khatm karne ka plan. Or jaise hi sabhi per nishan lag gye. Maine apni aankh se bhayankar jwala nikali. Or jwala nikalte hi. Use matra kuch sec. Lage honge or hamare samne moujud sare asur pal bhar me rakh me badal gye.vo bhi ek sath.

Surbhi- agli baar isi se shuruwat karna. Khamakha itni energy waste karwa di.

Main- ha kyu nahi.

Or isi ke sath medhavi ki sari sena ka ant ho gya. Or ye seen dekhkar medhavi ki to halat hi kharab ho gyi use samaj me nahi aaya ki akhir ye konsi shakti hai. Kyuki ye thirdeye har kisi ko nahi dikhti hai. Medhavi ko jara bhi andaja nahi tha ki abhi yaha per kya hua. Use to bas itna pata tha ki meri shaktiyo ne ek hi baar me uski sena ka ant kar diya. Par kaise kiya iska pata keval shukracharya ko laga hoga baki kisi ko nahi.

Aisa karne ke baad maine apni aankho ko bapis se khol liya. Or samne ka najara bakai kafi darane wala tha. Dusro ko.

Or fir me medhavi ke pass gya.

Main- ab bhi ladna chahte ho.

Medhavi- ye kaise kiya tumne.

Main- bahut kuch hai jo tum abhi nahi jante ho. Or janne ki jarurat bhi nahi hai. Tum ek achhe insan ban sakte ho. Agar banna chahte ho to. Tumhare pass abhi samay hai.

Medhavi- me ye achhe se janta hu. Lekin me aisa nahi kar sakta. Is janm me to bilkul nahi.

Ye kehke usne talvar mere pair me ghusa di. Jisse mujhe bakai me dard hua.

Or ye sab dekhkar um charo ko gussa aagya. Or vo charo ek sath medhavi per tut padi. Vo pehle se thoda ghayal tha. Uske pair me chot lagi thi. Mere kai prahar usne sehan kare the. Lekin vo itna kamjor nahi tha ki itni jaldi haar maan jaye. Par
Mere samne Jo ho raha tha use bhi jhutlaya nahi ja sakta tha. Kyuki vo kisi bhi hamle ko rok nahi raha tha. Bas apne uper hone de raha tha. Or isi beeche Prachi ne uski garden ko uda diya Renu ne usi samay uske sarir me aag laga di or bas uska kaam ho gya.

Abki baar sachme ho gya iska kaam tamam.

Ab keval shukracharya bache hue the. Baki koi nahi kam se kam mujhe to yahi lag raha hai. Shaktiya kamjor hone ke bawajud kisi ne mujhe abhi tak marne ka prayas nahi kiya tha. Matlab ki aisi shakti ka prayog jisse bakai meri mout ho sake. Ye baat mujhe kuch ajeeb se lag rahi thi. Ye sena leke aana yudh karna. Ye sab alag baat hai lekin pran ghatak hamla abhi tak nahi hua tha mujhper. Isliye mujhe kuch doubt sa ho raha tha ki ye sab akhir kyu ho raha hai.....

[/color]

[color=rgb(85,]To be countinue........[/color]
 
[color=rgb(184,] UPDATE 93[/color]
[color=rgb(184,]

Me yahi soch raha tha ki Prachi ne mujhe toka.

Prachi- kya hua kya soch me dub gye.

Main- yaar sochne ki baat hai. Abhi tak kisi bhi asur ne is prakar ka hamla nahi kiya mujhper jisse bakai meri jaan per ban aaye. Jabki ye baat jante hue bhi ki yaha meri jaan ja sakti hai. Sochne wali baat hai na. Ye sena ye sabki jarurat hi nahi padti.

Ye sunkar sabhi ke dimaag ki ghanti baji.

Prachi- achha hi hua na ki unhone aisa hamla nahi kiya or ham unhe parast karne me safal rahe.

Main- ye baat bhi theek hai lekin sochne wali Baat hai. Kahi koi or khichdi to nahi Pak rahi hai andar

Maine ye kaha hi tha ki pata nahi kya hua achanak se hamare charo taraf ek ghera sa ban gya. Jaise koi kavach. Or ham abhi soch hi rahe the ki ye kya hai tabhi shukracharya ki aawaj aai.

Shukracharya- bahut khub achha dimaag ladaya lekin afsos ki thodi der ho gyi ye samajhne me. Abhi tak hamne tumper kisi bhi ghatak shakti ka prayog is liye nahi kiya kyuki ye tumhare sathi tumhare sath nahi the. Ye seniko ko bhejna to bas ik chara tha in sabhi ko yaha bulane ka. Or dekho sabhi aagye yaha per. Or maine aisa isliye Kiya kyuki tum sabki shaktiya judi hui hai. Or tum yaha the lekin tumhare sathi nahi. Isliye meri shaktiyo ka asar tumper jyada nahi ho raha tha. Kyuki ye charo ek santulit vatavarn me upasthit thi. Or ab ye yaha aachuki hai jaha tum sabki shaktiya kamjor ho gyi hai. Isliye mere har prahaar ka tum sabhi per asar padega. Agar me yaha dev ko hani bhi pahuchata tab bhi ye aasani se bach nikalta. Kyuki tum charo ki shaktiya iski raksha kar deti. Lekin ab jab sab sath me ho to sabhi ko ek sath khatm karunga me.kyuki tum charo iski takat bhi ho or kamjori bhi.

Main- bahut khub lekin ab bacha kon hai. Ye shakti ka prayog kiske liye karoge. Tumhara raja tumhari sena sabhi to samapt ho chuke hai.

Shukracharya- ho jane do. Is astra se me sabhi ko punah jeevit kar lunga. Bas fir dekhna tum asuro ka qehar.

Main- aap abhi tak nahi sudhre. Jab shiv ji ne aapko nigal liya tha tab aapka hriday parivartit ho gya tha. Lekin kehte hai na. Ki bura insan chahe kitna hi Kyu na sudhar jaye. Burai ek na ek din use bapis apni taraf kheech hi leti hai.

Shukracharya- tumhe jo samaj na hai samaj lo.

Ye kehkar unhone mantra fook kar hamare uper chhod diya. Or aisa karte hi kuch bahut hi ghatak kala dhua us chakra me fail gya. Or chakra puri tarah se band ho gya. Is dhue me ham saas bhi nahi le pa rahe the.

Shukracharya- jante ho ye kya hai. Ye kaalkut se bhi jyada ghatak zehar hai. Jise maine khud banaya hai. Or iska parikshan bhi kiya hai. Me janta hu tumhare andar kaalkut hai. Lekin kaalkut is zehar ko katega nahi. Balki isme milke or zehreela ho jayega or jo pran tumhare bach gye the ab nahi bachenge. Or agar kisi tarah tum bach bhi gaye. Tab bhi tumhare ye sathi nahi bachenge.

Ye sunte hi mere kaam khade ho gye. Maine un charo ko dekha to vo lagbhag behsoh hone ki kagaar per hi thi. Or ye sab dekhkar mujhe lagne laga ki aaj ham sabhi ka antim samay aa hi gya hai. Me inhe kaise bacha paunga. Mom mami dadu or mama ko bhi nahi bacha paya me to. Tabhi mujhe divystra ka khayal aaya Maine socha ek baar try karke dekhta hi sayad kaam ban jaye.

Maine divyastra ko in charo ki raksha karne ko kaha. Inhe jeevit rakhne ko kaha.

Mere aisa kehte hi divyastra se ek roshni nikali or ek ek karke in charo ke sarir me sama gyi. Or fir vo baha kya karne lagi pata nahi. Lekin thodi hi der me vo roshni bilkul kali hole bahar nikal gyi. Halaki ham kavach me the iiye vo roshni bhi kavach me hi reh gyi. Uske baad maine khud ko bachane ko kaha. To divyastra ne fir se bahi kiya or roshni mere andar sama gyi. Or sayad vo sare zehar ko apne andar leke bahar nikaal rahi thi. Or unhi ke jaise mere andar se bhi vo roshni thodi hi der me bilkul kali hoke bahar nikal gyi.

Vo charo filhaal behosh hi thi. Lekin unki sase chal rahi thi. Jo achhi baat thi mere liye. Me bhi ek dum se dheela sa pad gya tha.

Shukracharya- kamal kar diya. Dekha ye hai divyastra ki asli takat. Ye sab dekhkar meri ikchha or bad gyi hai ise pane ki. Or ab sambhalo mere is baar ko.

Unhone fir se koi mantra pad ke us kavach me chhod diya. Or aisa karte hi.kavach le charo taraf se bhayankar bijli ke jhatke lagne lage.ham sabhi ko. Or isi jhatke ko bajah se roshni ne jo zehar hamare sarir se bahar nikala tha. Vo fir se aazad ho gya. Divyastra ki shaktiya kamjor hone ke kaaran. Or fir se vo hamare sarir me jane laga.

Maine socha aisa kaam nahi banega mujhe kuch or try karna hoga.

Yahi sochkar me bahi baith gya. Apni aankho ko band kiya or mantra ka jaap karne laga. Jaise hi thirdeye khuli Maine seedha prahaar Kiya unke kavach per. Meri sari shaktiya unke kavach se takra rahi thi jis bajah se unka kavach kamjor padne laga tha or vo khulne laga tha. Jaise kavach khula. Maine apni shakti ka prayog seedha is zehar per Kiya. Or ek chhote se hisse per prahar hote hi pura zehar uski madad karne ke liye ek sath aagya. Jaise ye jeevit ho or sab samajh raha hai. Zehar meri shaktiyo se ladne ki puri kosis kar raha tha. Lekin nakaam raha or bahi per uska bhi ant ho gya.

Ye sab dekhkar shukracharya ka dimaag fir gya. Unhe samaj me nahi aaya ki ab vo or kya prayog kare.

Me unhi ko dekh raha tha.

To unhone bhi apni anakho ko band kiya or pata nahi kya karne lage. Tabhi achanak se charo taraf se kaali shaktiya udd udd kar unke samne aane lagi vo bhi ekatha hone lagi. Sari shaktiya milkar ek jut hokar hamla karne ka plan tha shukracharya ka.

Jo pura bhi nahi hone diya maine. Or fir se thirdeye se hamla kiya unke us Kaali shakti ke ghere per. Or aisa hote hi vo shaktiya chillane lagi. Vo nark ki us aag me jalne lagi. Jiski kalpana bhi koi nahi karna chahta. Jitni bhi shaktiya baha aati ja rahi thi. Sabhi ko ye peeda hona start ho gya tha. Sayad shukracharya ko iska pata nahi chala or vo sari shaktiyo ko ikathha karne me lage hue the. Or yaha kaala dhua badta hi ja raha tha. Meri shaktiya unhe jalane ki kosis kar rahi thi. Lekin jaise jaise or shaktiya unke sath jud rahi thi. Meri shaktiyo ka asar unper kam hone laga tha. Fir bhi maine shakti ka prahaar jari rakha. Or dusre hath me divyastra ko uthaya or usko bhi bhayankar shakti prahaar karne ko kaha us kaale dhue per. Or maine use unki taraf kar diya. Divyastra ne bhi apni shaktiyo se usper prahaar karna suru kar diya.

Thodi der tak fir vo kamjor padne lagi. Lekin hairani ki baat thi Inka ant nahi ho raha tha. Meri dono shaktiya milkar bhi unko kam nahi kar pa rahi thi. Unki shaktiya badti hi ja rahi thi. Mere force me koi kami nahi thi lekin baha ka force out of control hota ja raha tha. Tabhi achanak se mere mathe per char hatheli rakha gyi. Jo kisi or ki un charo ki thi. Or aisa karte hi unki shaktiya bhi meri shaktiyo se mil gyi. Or ab pure force se ek baar fir hamla shuru hua. Or fir se vo kamjor padne lagi. Lekin again unka ant nahi ho raha tha. Me to ye dekhkar hairan tha ki aisi or kitni shaktiya hai jo khatm hone ka naam hi nahi le rahi hai. Sayad anginat.

Ham sabko shaktiya milkar bhi unko jara si chot nahi pahucha pa rahi thi. Jo bakai me chinta ka vishay tha.

Isliye maine filhaal shaktiyo ka istemaal karna band kar diya.

Renu- ye akhir konsi shakti hai jo khatm hi nahi ho rahi hai.

Main- ye vo burai hai jo har kisi ke andar kahi na kahi nibaas karti hi hai. Chahe vo kitna hi sajjan kyu na ho. Lekin ye burai uske andar bhi rehti hi hai. Kisi na kisi rup me. Jaise lalach jalan, hawas, etc. Shukracharya isi ko ek sath kar rahe hai. Or isi liye shaktiyo ka jyad asr in per nahi ho raha hai. Kyuki ye amar hai. Hamesha jeevit rehti hi hai. Inko keval bhagaya ja sakta hai. Vo bhi achhai se.

Aalia- ye kaise hoga.

Main- sabhi ek dusre ka hath pakad lo or ghera bana kar baith jao. Or mere sath dhyan lagao or gurudev ke dwara diye gye mantra ka puri bhakti se jaap karo.

Renu- isse kaam banega.

Main- viswas rakho. Sab kuch bhul jao. Khud ko bhi. Bas mantra ko yaad rakho or mahadev ke aakar ko. Baki sab bhula do.

Aisa kehke ham sabhi ne apni aankhe band kar li. Or mahadev ka naam lekar mantra ka uchharan suru kar diya hamne. Vo bhi jor jor se. Taki aathon dishao me is mantra ki gunj fail jaye. Ham sabhi coras me uchharan kar rahe the. Man me mahadev ka murti virajman thi. Or bahar unke naam ka mantra.

OM NAMAH SIVAAY...

ab hua ye ki ye mantra ki gunj charo taraf failne lagi. Or jab shukracharya ke kanon me baar inki gunj sunai di to unka dhyan tut gya. Or unhone dekha ki dev and parti hi mantra ka uchharan kar rahi hai. Or unke uchharan se unke uper hi ek safed roshni failti ja rahi hai. Or is roshni ko dekhte hi vo kala dhuan peeche hatne laga. Jaise dar kar sher ka sikaar peeche ko hota hai. sher ke badte har kadam ke sath.

Baise hi ye dhua bhi peeche ko hone laga. Or shukracharya ne ye dekhkar fir se dhayn lagane ki kosis ki lekin ab vo safal hi nahi ho pa rahe the. Isliye unhone in pancho ka dhyan todne ka faisla kiya or inke uper ek ke baad ek kai mantro ka jaap karke chhoda lekin kisi ka koi bhi asar nahi hai. Vo safed roshni unke har war ko nakam kar rahi thi. Jo haalat kuch der pehle dev ki thi. Ki unki shaktiya kaale dhue per asar nahi kar rahi thi. Baise hi halat ab shukracharya ki thi. Unka har war nakam ho raha tha. Roshni unhe hamare karib bhi nahi aane de rahi thi.

Or aise hi dekhte hi dekhte vo safed roshni us kaale dhue ko nigal gyi. Or baha per ab uska jara sa bhi ans na bacha. Or iske sath ek or achhi ghatna ye hui ki. Safed roshni ke padne se. Pataallok ka mahol ek dum se badal gya tha. Jaha pehle manhusiyat ki badbu aati thi charo taraf se. Bahi ab ek ummid ki nai kiran najar aane lagi thi. Aisa lag raha tha jaise is roshni ne yaha ki sari manhusiyat ka nash kar diya ho. Or ye dekhkar shukracharya ke dimaag ne kaam karna band kar diya. Unhe abhi bhi samaj nahi aaraha tha ki ise kaise roka jaye.

Tabhi unke dimaag ki batti jali or unhone apna rup badal liya. Or vo ban gye bhagwan persuram.

Puri tarah se. Inke pass ye kala bhi. Jisse ye kisi ka bhi rup le sakte the.

Guru persuram banne ke baad inhone jor se aawaj lagai

VATS AANKHE KHOLO.

ye aawaj mere kano se takrai. Or me ise pehchan gya vo bhi achhe se. Kam se kam mujhe to yahi lagta tha. Or bakio ko bhi.

Ye aawaj sunkar ham sabhi ne mantra ka ucharan band kar diya or apni aankho ko khol liya. To hamare samne gurudev khade hue the.

Ham sabhi ne unhe pranam Kiya.

Main- aap yaha gurudev. Or shukracharya kaha gye.

Gurudev- vats ye yudh samapt ho chuka hai. Or vo haar maan kar yaha se chale gye hai. Isiliye mujhe yaha ana pada tumhe badhai dene ke liye.

Main- ye sab to aapke aasirbaad se hi sambhav hua hai gurudev. Aapki hi di hui siksha hamare kaam aai hai.

Gurudev- me janta hu vats. Isiliye me tum sabhi ko ek ek tohfa dena chahta hu. Kyuki me bahut kush hu tum sabke koushal se.

Main- kya gurudev.

Gurudev- abhi batata hu.

Ye kehke unhone apna hath aage kiya or kuch karne lage. Or thodi hi der me unke hatho me koi astra jaisa kuch aagya. Jiska prabhav bahut hi tez tha. Aate charo taraf ka mahol badal sa gya tha.

Or tabhi mere man se aawaj aai.

Gurudev- vats vo me nahi hu. Balki ek chhal hai shukracharya ka. Bacho usse jaldi. Vo tum sabhi per brahmastra ka prayog karne ja rahe hai.

Ye sunte hi. Meri aankhe Chad gyi. Or mujhe khud per itni hairani Hui ki me samaj kyu nahi paya. Or maine bina koi samay gabaye divyastra ko hatho me le liya. Lekin bahut der ho gyi. Or unhone brahmastra ko hamper chhod diya. Aisa hote hi maine sabhi ko kaha ki apne hatho ko jod kar ise pranaam karo jaldi. Aone astra tyag do.

Maine to aisa turant hi kar liya. Lekin vo charo kuch samaj hi nahi pai. Or agle hi pal un per brahmastra ka bhayankar prahaar ho gya. Or pal bhar me hi un charo ke pran nikal gye. Or baha per ek visfot jaisa bhi hua jiske prabhav se me udta hua dur ja gira.

Vahi brahmastra apana karya karke bapis chala gya. Or baha per chhod gya un charo ki lasho ko. Jo puri Kaali pad gyi thi. Inke sarir nahi bhasm hue kyuki inke pass divyastra ki shaktiya moujud thi. Baki Jo sabse main cheez hoti hai vo jarur chali gyi thi. In sabhi ke pran.

Is dhamake me mere kaan ek dum se sunn ho gye the. Mujhe kuch bhi samaj me nahi aaraha tha ki kya hua abhi. Jo bhi hua kya vo satya tha. Ya koi sapna.

Tabhi shukracharya apne asli rup me aagye or meri taraf badne lage.

Mere hatho me divyastra nahi tha. Or mujhe uski jarurat thi jaise hi maine ye smaran Kiya vo turant hi mere hatho me aagya. Or me hilta dulta apne ghutno per baith gya. Mere samne shukracharya aachuke the.

Shukracharya- ab kya karoge tum vats. Tumhare sathi ab mare gaye hai or tumhari shaktiya pehle se bhi or kamjor ho gyi hai. Abhi bhi samay hai mujhe ye sop do. Ya fir apni mrityu ko swikaar karo. Uske baad bhi ye hoga to mera hi.

Main- aapne Mera sab kuch cheen liya mujhse. Or ab meri bari hai.

Ye kehke maine ek jordaar prahar Kiya divyastra se un per. Or vo uske prahar se thode dur ja gire.

Or maine apne dono hatho ko joda or bolna suru kiya.

Main- aap ek brahmin hai guru hai isliye me aapki hatya nahi karunga. Kyuki mujhe mere sir per aisa kalank nahi chahiye hai. Lekin aapko saza jarur dunga. Aapne jis shakti ko prapt karne ke liye ye sab Kiya hai. Ab vo aapki kabhi nahi ho payegi. Janna chahte hai kaise. To dekhiye.

Maine apni aankho ko band kiya or divyastra se baat karna shuru kiya.

Main- hey divyastra hey punchmahabhuto ke prateek. Unki sari shaktiyo ko aone andar samane wale hey pavitra divystra. Is samay me aapka swami hu or us hisaab se aapko mere har aadesh ka palan karna hi hoga. Or me aapko aadesh deta hu. Ki apne aap ko hamesha ke liye is brahmand me vileen kar leejiye sari shaktiyo ke sath. Or fir kabhi bhi jaagrit mat hoiyega. Chahe koi bhi aapka smaran kare. Kabhi bhi kisi ke bhi samne mat aaiyega. Aapane aap ko vibhajit kar leejiye. Or vileen ho jaiye is brahmand me.

Bahi ye sunke shukracharya ko aisa jhatka laga jiski kalpana bhi unhone nahi ki hogi. Or vo hor se nahi chilla uthe. Or khade hoke divyastra ki taraf doudne lage. Tabhi Divyastra me itna bhayankar visfot hua ki sara patalok usse kamp gya. Or me or shukracharya us dhamake se or dur Jake gire. Meri halat to baise hi kharab thi. Is dhamake ke baad or jyada kharab ho gyi. Bahi shukracharya bhi kuch der ke liye ek dum sunn ho gye.

Or divystra is dhamake se pancho anso me bat gya or dekhte hi dekhte baha se gayab ho gya. Or apne sath apni shaktiya bhi le gya Jo mere andar thi or un charo ke sarir me thi.

Or yaha divyastra ka ant ho gya. Or yahi vo plan tha jo dev sabse ant me karne wala tha jab sab uske hatho se nikal jane wala tha. Ha agar aisa kuch nahi hota to divyastra bhi salamat rehta.

Bahi shukracharya is jhatke ko sambhal hi nahi paye. Or dev ko kosne lage ki ye kya kar diya usne. Unke liye vo kahabat sahi ho gyi thi hath ko aaya parantu muh na laga.

Or is baat se jo gussa aaraha tha use nikalna bhi jaruri tha. Isliye vo khade hue or apne hatho me ek talvar le li. Or dev ki taraf bad gye. Bahi dev behosh ho chuka tha. Uska sarir ab pehle se bahut kamjor ho gya. In shaktiyo se jo sarir bajr ke saman tha ab vo ek aam insan ke sharir me badal gya tha. Shukracharya dev ke karib pahunche or talvar ko hawa me uthaya or jaise hi hamla kiya tabhi dev or un charo ke sarir baha se gayab ho gye. Or ye dekhkar shukracharya fir se apna matha pakad kar baith gye. Unke hath se ye mouka bhi chala gya. Or ab unke hath kuch nahi tha. Itna sab khone ke baad bhi. Unhone itne balidaan diye us astra ko prapt karne ke liye. Lekin un sabhi ke balidan bekar chale gye. Or divystra bhi hath nahi laga. Ye vo dard tha jo is samay keval shukracharya hi mehsus kar pa rahe the.

Isme dev ki jeet bhi hui or haar bhi. Usne divyastra ko galat hatho me nahi padne diya. Isse uski jeet hui. Lekin vo apno ko nahi bacha saka or is prakar uski haar hui.

Bahi shukracharya ke hatho me keval haar hi lagi. Unhone har tarah ke sadyantra rache lekin unka koi bhi sadyantra unhe divyastra nahi dila saka. Jis bajah se unka maansik aaghat pahucha tha. Or is aaghat ke sath vo jeevit hi nahi rehna chahte the. Isiliye unhone usi samay yogagni se khud ke pran le liye. Or ab unki rakh baha per padi hui thi. Jise hawa apne sath uda le ja rahi thi.

Baki

Ab dekhte hai ki kya hota hai...dev or baki sabhi kaha gayab hue hai. Or is atra ke samapt hona per koi dusparinaam to nahi nikalte hai.

To be countinue........

[/color]
 
Back
Top