[color=rgb(184,]UPDATE*1[/color]
Nagpur ke pass Umred Taluka me bye pass ke najdeek makan number 4 me rahne vale Mr. aur Mrs. Rajvansh garv se kahte the ' hum to samanya log hain..
Koi soch bhi nahi sakta tha ki yah log kisi rahasyamayi ya ajeeb cheez me ulajh sakte the.....kyon ki ve in betuki bato se dur rahte the.....
Mr. Anand Rajvansh Aditya Industries naam ki company ke director the.....jo drill banati thi..
Anand Rajvansh mote tagde admi the aur unki gardan to jaise thi hi nahi, halanki unki muchhe bahut badi thi....
Urmila Rajvansh behad khubsurat, padhi likhi house wife thi...unki gardan samanya se duguni lambi thi...ye gardan unke bahut kaam aati thi....
kyon ki vo bagiche ki munder ke paar taak jhaank karne me aur padosiyo ki jasusi karne me apna bahut sa samay bitati thi....
Unka ek chhota sa beta bhi tha .... jiska naam Aditya Rajvansh tha...
Anand aur Urmila ka maanna tha ki duniya me aditya se sundar bachcha ho hi nahi sakta.....
Unke pass sab kuch tha, jo bhi vo chahte the......
Par unki jindagi me ek rahasya bhi tha aur unhe sabse jyada darr issi baat se lagta tha ki kahi vo rahasya kisi ko pata na chal jaye....
vo ye soch bhi nahi sakte the ki agar kisi ko Rajvansh pariwar ke bare me pata chal gaya, to unka kya hoga...?
Megha, Urmila ki bahan thi lekin kayi saalo se dono ek dusre se nahi mili thi
Sach to ye tha ki urmila sabko yahi batati thi ki unki koi bahan hi nahi thi...
Kyon ki uski bahan aur uska nikamma pati un logo se utne hi alag the..jitna hona sambhav tha...
Ye soch kar hi anand aur urmila ke hosh ud jate the ki agar megha aur uska pati unki gali me aa gaye to unke padosi kya kahenge....
Vo jante the ki unka ek chhota sa beta bhi tha par unhone use kabhi nahi dekha tha
Yeh Bachcha bhi ek bada kaaran tha, jis vajah se vo megha ke pariwar se door rahte the....vo nahi chahte the ki aditya is tarah ke bachche se mile jule....
Jab anand aur urmila us bojhil mangalwar ko subah so kar uthe, jahan se hamari kahani shuru hoti hai...
Us din baadlo se bhare aasmaan ko dekh kar koi bhi ye nahi soch sakta tha ki poore desh me ajibo garib aur rahasyamayi ghatnaye jaldi hi hone wali hain........