sexstories

Administrator
Staff member

Usski-1-paint.jpg

Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya
Introduction

Pyar, muhabat, Ishk, Love. Iss shabd ne kitnon ko paagal banaya, iss shabd ko yuvak se lekar adher logon ne bhi itne ehmiyat diya hai pichle hazaaron balke karoron saalon se dete aaye hein.

Beete kayi hazaaron saal purani kahaniyan banne Muhabat ko lekar, sachi beete hue pyar bhari zindagiyon ko bhi lekhakon ne kahani bana kar pesh kiya pichle hazaaron saalon se aur aaj bhi karte jaa rahe hein.

Har kissi ki life mein ek daur aisa zaroor ata hai, ya aya hua hoga jahan ek vyakti ko kissi se pyar ho jata hai. Koyi apne pyar ko paa leta hai to koyi naa kaamyaab hota hai. Kissi ko pyar asaani se mil jata hai to kissi ko bahot jaddo jahad ke baad ussko usska pyar milta hai.

Kissi ke saath dhoka hota hai pyar mein, to koyi khud dhoka deta hai apne pyar ko. Aur kayi baar aisa bhi hua hai ke kissi ke samajh mein bhi nahin ata ke ussko pyar ho gaya, aur kissi ko pata bhi nahin chalta ke kab aur kaise pyar hogaya.

Pyar ek ehsaas hai, ek jazbaat hai jo dil se mehsoos ki jaati hai. Pyar mein insaan sab kuch bhool jata hai, yahan tak ke dimaagh se sochna bandh kar deta hai buss apne dil ki sunta hai, yehi pyar ki taaqat hoti hai ke insaan ko dil se sochne par majboor karta hai. Jab insaan ko pyar ho jata hai to kehta hai reasoning aur dimaagh gaya bhaadh mein apne dil ki sunta hoon. Aur har sacha aashik yehi karta hai, sirf dil ki sunta hai, jo usska dil kahe wohi karta hai, baaki kuch bhi pyar mein ehmiyat hi nahin rakhta.

Jo log pyar aur dimaagh ke jung mein fansste hein wo pyar mein kabhi kaamyaab nahin hote. Khaas kar jo log aise mod par aajaate hein jahan dimaagh ko sunna ziada passand karte hein wo to bilkool bhi pyar se door ho jaate hein.

Missal ke taur par samjhata hoon ke ek ladki thi jo ek ladke se behad pyar karti thi, magar aisa waqt aya jahan ladki ko apna sapna pura karne ke liye star banne ke liye offer aya to uss waqt ussne apne dil ki nahin suni balke apne dimagh ko suna ke ussko star banna hai aur chali gayi heroine banne kyunke ek offer aya tha ussko. Aur door hogayi, alag ho gayi apne pyar se aur dhire dhire shauhrat aur paise ne uss ladki ko bhula diya apne pyar ko kyunke ussko wo chakachaund aur shauhrat wali life ziada passand aya aur ussne ussi ko chuna apne pyar ko thukda kar.. Magar aakhir mein dhalti umar mein ussko pata chala ke ussko apne pyar ko ehmiyat dena chahiye tha to aaj wo khush hoti apne Mehboob ki baahon mein, aur yahan kyunke umr dhalne lagi thi ussko kissi ne nahin pucha aur wo akeli rahi marte dum tak.

Yeh buss ek misaal tha aise bahot saare examples hein jahan log apne dimaagh ko sunte hein aur dil ki nahin jab pyar ka sawaal ata hai to. Aur jissne ne bhi dil ki awaaz ko suna weh sab kaamyaab hue apne pyar ko paane mein.

Yeh kahani bhi ek pyar ki kahani hai. Dil ke rishton ki kahani hai, jahan pyar to ho jata hai magar nibhana kia asaan hota hai? Pyar pyar hota hai, roz marre ki zindagi se isska koyi lena dena nahin hota, pyar mein log mehlon ko chorr dete hein, jungalon mein bhi rehne chale gaye hein apne pyar ke piche, aur kuch gharibi ko chorr kar mehlon tak pahunch gaye hein apne pyar ke piche, buss pyar sacha hona chahiye.

Iss kahani mein hamare hero ko baali umar mein kayi baar pyar hua magar naakaamyaab raha. Ya to ladki ne kuch waqt baad piche kadam le liya, ya khud hero ko dikha ke aage chal kar ussko safalta nahin milega uss pyar mein, to piche kadam hatta liya.

Magar hamara Hero hai bahot emotional aur hamesha dil se hi sochta hai. Pyar ko bahot sakht zaroorat tha ussko kum umar se hi, kissi bhi khubsurat ladki ko dekha to dil de baithta tha, hamesha sochta, "yeh zaroor meri banegi, yeh wali bahot hi khubsurat hai, nahi wo wali best hai.." Aise hamesha sochta tha aksar kissi bhi haseen ko dekh kar.

Ussko talaash thi ek kamseen, nazuk, bholi, khubsurat, acchi ladki ki.. Wo iss liye ke usska pehla pyar weisa tha.. Wo 12th mein tha jab ussko apni bachpan ke saati se pyar ho gaya. Bachcha tha tabse donon ek saath maternal school gaye, primary mein bhi saath the aur 12th tak saath rahe. Ladki ka naam tha Ruhi. Aur hamara hero hai Abhi, weise naam hai Abhinav, par sab Abhi bulaate hein.

Isska pehla update 10th January se ana shuru hoga dosto, tab tak aap log apna comment post karen, kahen ke keisa laga intro? Bahot farmaayisehin aaye the Romantic story ke liye to yeh raha...

EDITED:
Kahani ki title se readers samajh chuke honge ke iss mein bichadne wali baat hogi.
Haan to To yeh Abhinav ki kahani hai. Abhi wo 22 saal ka hai, 23 ka hone wala hai.

Yeh kahani Abhi ko bahot door lekar jaega. Abhi ki full life story hai. Abhi to 1986 mein kahani chal rahi hai. Abhi aaj bhi yahin hai. Hum wahan tak dekhenge Abhi ki story ko. Abhi ka sabse bada aur gehra pyar Ruhi rahi hai.

Aap jaanna nahin chahoge ke agar Abhi aur Ruhi bichde to kia wo life mein phir kabhi mile ya nahin?

Issi Ruhi ke badaulat Abhi life mein itna aage badhega, issi pyar ke badaulat usski life ek zabardast turn lega bhai. Kehte hein nah "blessing in disguise?" Life mein kabhi kuch bura hota hai aage chal kar BHALA hone ke liye.

Bichadna hai magar kyun aur kaise? Ho sakta hai aap soch kuch aur rahe ho aur hoga kuch aur.... to koyi bhi update miss nah maren, saare updates padhen jaanne ke liye abhi aur ruhi ke life mein kia hua, kaise hua, kyun hua....
 

Update 1 Abhinav Also Known As Abhi

Abhi aur Ruhi ek dusre se sach mein behad pyar karte the, magar kuch eisa hua ke donon ek dusre se hamesha ke liye alag ho gaye, aur aaj Abhi har ek ladki mein Ruhi ko hi dhundta hai, usski adaaein, usski bholapan, usski cuteness, usski wo kamsin dikhna, nazuk, aur komalta yehi sab dhundta rehta tha Abhi kissi bhi ladki mein. Aur haan Ruhi bahot hi khubsurat thi to Abhi koyi bahot khubsurat hi ladki ki talaash mein tha.

Alag kyun hue donon? Mamooli si baat thi. Sab gharib log the, Abhi ke pita kisaan tha, Ruhi ka pita watchman tha. Ek hi muhalle mein rehte the sab.. Magar Ruhi ke pita ki ek din lottery lag gayi. Amir ho gaya, aur khud ko bahut bada aadmi samajhne laga, Abhi ke pita usske liye bahot nicha aur chhota ho gaya tha, Ruhi ke pita ka uthna baithna ab bade amir logon mein hone laga.. Aur wo sab chorr chaar kar Canada chala gaya. Address bhi nahin diya apna aur Ruhi ko sakht mana kiya Abhi se koyi bhi contact karne ke liye.. Phir dhire dhire saalon baad Ruhi Abhi ko bilkool bhool gayi aur Canada ki lifestyle, wahan ke dost, wahan ke log, wahan ke boyfriends sab ho gaye usski.to Abhi ko delete kar diya bilkool ussne to Abhi kia karta? Ussne bhi bhula diya Ruhi ko, magar ladki ussko Ruhi jaisi hi chahiye the apne life mein.

Abhi 20 saal ka hua. Koyi dhang ki Naukri bhi nahin mil raha tha, kabhi yahan to kabhi wahan, kabhi iss company mein to kabhi temporary kaam milta kissi aur company mein...

Gharibi ke kaaran studies complete nahin kar paaya, baap ke paas utna paisa nahin tha ussko aage padhaane ke liye.. 12th ke baad ek saal bekaar tha phir baap ke saath kheton mein jata aur phir apne dhang ki Naukri dhunta gaya.. Ussko English likhne aur bolne ka bada shaukh tha... Ek aadat nahin chorra tha ussne wo tha padhna, reading. Bookworm tha. Englsih kitaabein bahot padhta tha, borrow karta tha padhne ke liye. class mein English mein awwal tha, hamesha sabse ziada marks paata tha class mein. To wo reading ki aadat bana raha usska. Aur haan Abhi likhta bhi tha, English mein hi. Kia likhta tha? Apna daily events likhta tha, har saal ek diary kharidta tha aur har raat ko sone se pehle usska din keise guzra wo likhta tha bina kissi din ko miss kiye. Aur ek special copybook mein usske aur Ruhi ke baare mein likh chuka tha jo apne drawer mein sambhaal kar rakha tha Abhi ne. Uss mein apne bachpan se 12th tak ke sab kuch likha tha, jiss din Ruhi ussko chorr kar Canada gayi aur usske baad ke ek saal ussne kitne dukh mein guzaare wo sab kuch likha tha ussne uss mein. Aaj bhi wo sab padh ke usske aankhon mein ensso aajata hai. Aaj bhi yaad karta hai ruhi ko kabhi kabhi, Magar Ruhi ka chehra ab kaisa hoga usski imagination mein nahin araha tha. Ek tadap, ek tees sa uthta tha usske dil mein Ruhi ke saath unn bitaaye hue dinon ko yaad karte waqt. Ussko itna to pata tha ke ab ussko Ruhi kabhi wapas nahin milega, ussko maloom tha ke Ruhi ki status ab usske saamne bahot hi ooncha ho gaya hai aur wo khud ko Ruhi ke naukar ke bhi kaabil nahin samajhta tha; iss liye Ruhi ko hamesha ke liye bhula dena hi behtar samjha Abhi ne, magar kissi aur ladki ka pyar chahiye to tha ussko, iss liye har ladki mein Ruhi ko hi dhunta phirta tha. Miley kayi ladkiyan, dosti hui, karib gaya Abhi magar ussko unn ladkiyon mein Ruhi jaisi kuch nahin dikha to kadam piche hatta liya Abhi ne... usska talaash jaari raha phir bhi..

*****************************************************************

Ek din ussko ek Coach-Building ki company mein as apprentice/helper Naukri mili. Wahan ziada tar bus banaate the. Bus ki chasis nange aate the engine ke saath, usski body, cover, andar ke seat vaghaira sab bana kar bus ko complete karna hota tha. Ussi ko coach building kaha jata hai. Abhi ko wo kaam dilchasp laga. Jiss din ussne join kiya kayi buss aaye the chasis aur engine ke saath uss par body banana tha. Takriban do mahine mein ek bus complete ban jata tha. Koyi 300 log mulazim the uss company mein. Jab Abhi ne ek completed bus ko dekha to wo heyraan hua ke kaise sirf ek lohe ki chasis par ek pura bus bana diya gaya hai, wo bahot prabhaavit hua aur uss kaam ko hamesha ke liye karne ko socha.. Aur Abhi wahan kaam seekhne laga. metal kaatna, frame banana, welding karna, phir bus ki pure body ke liye aluminium sheets ko hisaab se kaat kar rivet se sab fir metals par chipkana, windows ke glasses lagaana, seat banana aur bus ke andar fit karna, buss ki floorings par thick wala aluminium chipkana special rivets se, jissko hatode se kayi baar thok thok kar chipkaya jaata tha; kuch luxurious chizon ko bhi lagana bus ki kharidne wale ki demand par, yeh sab kuch seekha Abhi ne 3 saal tak, aur ussko sab pakka karna agaya. Paisa kum mil raha tha shuru mein, mahine mein sirf 100 rupay kama raha tha. Ek to gharibi ne chaaron taraf se haath feylaya hi hua tha, kuch bhi luxurious kharidne ki aukaat nahin thi. kyunke Abhi ko laga ke uss kaam ko seekh kar wo zaroor aaguey chal kar khud sab kar paega iss liye ussne himmat ki aur 100 rupay maahwaar ki tankhwa mein kaam karta gaya, apprentice tha pehle 3 saal tak phir bhi karta gaya magar 3 saal tak hote hote ussko ek full employee ki salary milne lagi.

Unn dinon mobile ka vikaas nahin hua tha. Shukar hai varna unn dinon ek jawaan bina mobile ke kaise jeeta. Cigarette pine laga tha, doston se mil jata tha pine ke liye, tankhwa milta to kuch ghar mein deta, kuch apne liye rakhta phir bhi 100 rupay mein kia rakhta ek mahine ke liye, paise to do din mein hi khatam ho jaate the kyun ke 75 rupees ghar mein diya to 25 bachta tha usske paas aur 25 rupay ko kitne din chala paata halaan ke unn dinon sab kuch itna mehnga nahin tha jitna aaj kal hai... unn dinon ko araam se ek mahine guzaarne ke liye at least 300 rupay hona chahiye tha... paidal factory ata jaata tha, ek naya pair of shoes bhi nahin kharid paata tha, baap ki kamaayi ke paise se ghar ka ration chalta tha, electricity bill, water bill vaghaira sab baap pay karta tha upar se aur bhi bhai behnein the.. Bahot tang haalaat the jinn dinon abhi jawaan tha. filmein dekhna bahot passand karta tha, har nayi movie ko first day first show dekhta tha. Unn dinon ticket itna menhga bhi nahin tha to koyi nah koyi jugaad kar leta tha apna ticket paane ke liye, kabhi dost log usski ticket kharid dete the..

Beer peene ki aadat bhi lag gayi doston ke saath, to beer bhi pine laga aur ahiste ahiste daru ki latt bhi lag gayi..magar paise ki kami ki vajah se har roz to nahin peeta tha, mahine mein ek ya do baar enjoy kar leta tha. aur kabhi kissi dost ke paas ziada paisa hota aur wo offer karta to Abhi ko bhi gale mein utaarne ka mauka mil jata tha.

Abhi ke bhi sapne the, har gharib ki tarah wo bhi sochta ke ek din mere paas bhi car hogi, bada ghar hoga, life mein aaguey badhunga, kuch kar dikhaunga, ek din mere saare sapne pure honge.. Aur sabse khaas sapna usska yeh tha ke ussko ek Ruhi jaisi mehbooba mile.. Emotional tha, dil se ziada sochta tha pyar ke baare mein, apne diary mein aksar likhta ke usske liye kahin to bani hogi ek ladki, dharti ke kissi kone mein to hogi wo dilnasheen jisska intezaar Abhi kar raha tha, magar abhi ko jaldi tha, kahan milegi wo agar wo kahin hai bhi to, kab milegi ussko wo? Kia naam hoga usska? Kaisi dikhti hogi? Kia padhi likhi hogi? Kyunke Abhi ko English bolna perfectly ata tha iss liye ussko yeh umeed thi ke uss ladki ko bhi English mein likhna aur bola ana chaahiye.. Kyunke abhi dil ki baton ko English mein bade asaani se izhaar karta tha iss liye wo hamesha sochta tha ke apne dil ki baton ko apne mehbooba tak English mein likh kar bayaan karega.

Kyunke unn dinon mobile nahin hua karta tha to, aam taur par sabhi chittiyon dwara communicate karte the. Internet ka naam o nishaan bhi nahin tha. Haan telephone tha. Television tha, aur TV serials bhi chalta tha. Magar Abhi ke ghar mein TV tha hi nahin. Padosi ke ghar TV dekhne jaate the Abhi ke ghar waale, Abhi bhi chala jaata tha jiss din usske passanjida movie ata tha TV par.

Thik jab Abhi ek employer ban gaya uss company mein aur ab usske saath helpers aur apprectice kaam karne lage, Abhi ki salary tab 2,500 rupay maahwaar ho gaya, tabhi company ko bandh hona tha!!

3 salary mil paaya Abhi ko jabse wo employer bana. Bahot khush hua, ghar mein party diya, doston ko bulaya, maa baap, bhai behnon ke liye naye kapde kharide, khud ke liye ache kapde aur joote kharide, Walkman ka zamana tha, jissmein cassete lagaa kar gaane sunte the to Abhi ne ek Walkman bhi kharida aur apne passand ki cassetes kharidta aur sunta rehta.. Pehla tankhwa mila to kariban 2,000 to spend kar diya weise hi. Dusre mahine ki salary mili to apne pita ko 2,000 rupay thama diya usske chote chote karzon ko adaa karne ke liye aur ghar chalaane ki madad ke liye. Jo bhai behen college jaate the unn sabko tagda pocket money de diya Abhi ne.

Aur teesri salary milne ke baad company ka diwala nikal gaya aur band hogaya.. yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein...

To be continued...
 

Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya.. yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein...

Ab aaguey..

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki owners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the.. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabhi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5 star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin.. Loan par loan lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya... company ke 300 karamchaari raaste par aagaye. kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane mein aur sab apne jobs kho baithe.. Abhi bhi bekaar ho gaya..

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, Goa bhi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc.

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Saeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, unn logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus owner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashoor hone laga bus owners ke darmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abhi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein welding ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Ussko life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhoola tha, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira. wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha..

Do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc.

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna.magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akele unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha.. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha.. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha.

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke.

"Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai.. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise Ruhi se bichda hoon?."

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabhi uss copy book ko padhta jiss mein usske aur Ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti.. Abhi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata..

To be continued...
 

Update 3 A new turn in Abhi's Life

Ek jaana maana bus owner tha Mehboob Jaan naam ka. Usske 4 buses running already the roads par. Magar usski nazar ek puraane sade hue bus par padi kahin ek jangal mein jo kissi bus owner ne dump kar diya tha. Uss par ghaans phuss, pawde bhi ug uthe the. Mehboob Jaan ne uss bus ka moaena kiya to paaya ke usski chassi bilkool mazbut aut achchah hai, magar engine tha hi nahin bus mein sirf chasis samet sada hua coach tha uss par. Mehboob jaan ne socha ke 50,000 mein ek second hand engine to mil hi jaega, chasis sahi hai to sirf coach building karna padega aur bus wapas road par chalaya jaa sakta hai. Chasis ka number note kiya ussne aur legal matter ke liye road traffic branch walon ke contact se pata kar liya ke sab legally banaya jaa sakta hai agar wo bus ko wapas road par lana chaahe to.

To ussko ab Saeed se milna baaki tha jo ussne kiya. Saeed ko lekar wo bus dikhaane legaya. Uss bus mein kaam wohi karna tha jo bilkool ek naye bus mein kiya jaata hai shuru se ant tak. Matlab chasis se shuru karna hoga aur end tak coach building karni hogi. Eise kaam ke liye garage mein 20 laakh rupay lag jata hai. Aur agar naye bus par coach building karna hota hai tab 40 se 50 laakh lagta hai. Yeh sab Mehboob ko bhi pata tha aur Saeed ko bhi. Mehboob ne Saeed se pucha ke kitne ki material takreeban kharidne padenge? Aur bus ko pura banaane mein kitna time lagega?

Saeed ke dimaagh mein kayi batein chal rahe thee uss waqt. Wo soch raha tha garage ke hisaab se kitna paisa lagta mehbob ko aur ab saeed garage wala kaam pura karne wala tha to kitna paisa lena chahiye ussko Mehboob se ek pura bus ki coach banaane ke liye. Saeed ne socha ke Abhi se milkar decision lena padega ussko, to ussne Mehboob se kaha,

"Mujhe apne workers se baat karna hoga pehle, yeh unn ke haath mein hein ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai aur materials ke liye ek quotation banwa kar dunga aap ko, bahot saare sheets of alluminium kharidne honge, bahot metals kharidne honge pura frame ke liye aur bus ke tamaam seats ke liye alag se metals lene honge aur saare seats bhi banana hein, tamaam shishe bus ke kharidne hein..sab kuch from zero start karna hai... upar se saare rivets, floorings, ceilings ke pannels, sides ke frames, sab kuch shuru se start karna hai bilkool jaise ek naya bus banta hai weise karna hai.."

Mehboob ne kaha ke wo sab karne ko tayyaar hai ussko wo bus wapas road par chahiye hi chahiye!

*******************************************************

Saeed jaakar Abhi se mila aur ussko lekar uss jangal mein bus dikhaane legaya aur donon milkar discuss karne lage ke kitna cost hoga saare meterials ka aur kitna paisa lena padega Mehboob se bus ko road par laane ke liye aur kitne dinon mein kaamm pura ho sakta hai.

Saeed aur Abhi phir usske ghar par mile aur kagaz kalam lekar baithe donon sab kuch likhne ke liye.

Saare materials ko soch soch kar likha gaya ek ek karke, sab yaad karte hue ke bus ki coach banaane ke liye kia kia istemaal hota hai, ek kil se lekar alliminium sheets tak sab kuch likha gaya aur daam ek kone mein note kiya gaya.

Ek pura quotation tayaar kiya abhi ne. kyunke wo padha likha tha to iss liye Saeed ne Abhi par count kiya wo sab tayyaar karne ke liye. Sab kuch kalam aur kaagaz par kiya gaya computer to tha nahin tab.

Usske baad ab donon ne discuss kiye ke kitna paisa lena hoga Mehboob se uss kaam ke liye. Saeed aur Abhi ne milkar discuss kiya ke company ki garage mein to uss kaam ke liye kum se kum do ya teen laakh liye jaate aur 3 mahinon mein kaam pura kiya jaata.. To baat yeh hui ke garage mein aur bhi kayi mulaazim kaam karte tab 3 mahinon mein kaam pura hota, yahan to 4 mulazim hein to ziada din to lagenge hi.. 6 mahine socha donon ne. phir socha ke Mehboob ko 6 mahine bahot ziada lagenge, to 4 se 5 mahine kehne ko socha donon ne. Tab baat aayi paise ki, labour ki, matlan mazdoori ki... Saeed ne kaha ke 75,000 mangega. Aur kaha ke wo 50,000 lega aur Abhi ko 25,000 dega.

Abhi ne kaha,

"75,000? Aap paagal ho kia saeed ji? 3 laakh ka kaam aap 75 hazaar rupay mein karoge? Aur do workers ke bhi payment karne honge to keise mujhko 25 aur aap 50 loge unn mein se? Main kehta hoon do laakh mangna hai Mehboob ji se iss kaam ke liye."

Abhi door ka sochta tha. Saeed ji ke liye 75 hazaar bahot bada rakam tha iss liye ussko ziada maangna ajeeb lag raha tha, magar Abhi ko pata tha ke Mehboob ji agar garage ko 3 laakh ki payment kar sakte hein to 2 laakh to de paega iss kaam ke liye. To Saeed ji ne kaha,

"Dekho Abhi, mujh mein himmat nahin hai Mehboob ji se itna bada rakam maangne ki, ek kaam karte hein, tum mere saath chalo, main tumko apne assistant kehkar milwaunga uss se aur tum price discuss karna unnke saath dekhte hein kia hota hai."

Abhi maan gaya. Aur donon mile Mehboob ji ke ghar par. Abhi ne quotation de diya Mehboob ji ko. Derr laakh ki materials kharidne the Mehboob ji ko. Tab ussne Saeed ji se pucha ke kitna lenge iss kaam ke liye aur kitne dinon mein kaam pura hoga. To Saeed ne Mehboob se kaha,

"Ussi se puchiye nah janaab, yeh Abhi hai nah wohi sab accounting karta hai. Wo sahi figures dega aap ko."

Mehboob ke yahan aane se pehle to baat 2 laakh ki hui thi magar yahan Abhi ne Mehboob se 3 laakh ki farmaayish kiye! Saeed ji ko jhatka laga 3 laakh sunkar! Magar Mehboob ji ne abhi se pucha,

"3 laakh kuch ziada nahin hai barkhurdaar? Garage mein bhi to utna hi lagta nah?"

Abhi ne kaha,

"Kia aap ke yahan garage hai janaab? Ya aap ke yahan hum khule hawa mein kaam karenge, dhoop mein tapte hue saare kaam karne honge, inn sab ko khayal mein rakhte hue hi nah humne sab kuch socha hai? Aur phir do aur mulaazim honge hamaare saath, unnke bhi to payments karne honge, travellings ka bhi socha hai humne saare mulazim ke travelling ka khayal bhi to karna padta hai nah?"

Mehboob ji ne muskuraate hue wapas Saeed ji ko dekha aur kaha,

"Are saeed bhai aap to apne finance manager ko lekar saath aaye ho ya yeh aap ka HR hai?!" aur wo hanss pade.

Mehboob ji ne 3 laakh ko Manzoor kiya jiss se Saeed ji ko zabardast jhatka laga, ussne to sapne mein bhi nahin socha tha ke life mein kabhi kissi se 3 laakh maangega kaam karne ke liye.

Saeed chup chaap baitha raha aur Abhi ko sab deal pura karne diya.

Mehboob ji ne pucha ke kitne dinon mein kaam pura hoga. Abhi ne kaha 5 se 6 mahine to lag jaega, aur Mehboob ji ko mechanics wale kaam alag se karwane honge engine ko lekar aur paintings bhi alag se wo karwaega apne taraf se. Mehboob ji raazi hue aur pucha ke payment kaise karega sab ek saath kaam pura hone ke baad ya advance payment chahiye?

Bina Saeed ko dekhe ya puche Abhi ne kaha,

"Agar aap 1 laakh de dete hamein kaam shuru hone se pehle to hamaare liye asaan hota baaki ke mulazimon ki payment karne ke liye kyunke unn logon ko weekly payment karte hein hum."

Saeed ji ko ek aur jhatka laga abhi ki baat ko sunkar. Ussne to life mein kabhi 1 lakh rupay nah liya tha nah dekha tha. Aur 22 saal ki umar ka Abhi 1 lakh rupay maang raha tha ek bus owner se, wo bhi advance aur 2 lakh kaam pura hone ke baad milne wala tha... Saeed soch raha tha ke sala ussne to 75 hazaar pura kaam ke liye maangne wala tha! aur yahan abhi advance 1 lakh mang raha hai aur Mehboob dene ko tayyaar tha!

Mehboob ji ne ek cheque kata 1 laakh rupay ki aur Abhi ko thama diya Saeed ko dekhte hue. Phir pucha ke kaam shuru kab hoga. To Abhi ne kaha kaam kal se hi shuru hoga, bus ko tow kiya jaega unnke aangan mein aaj hi.

Wahan se nikle to Saeed ne abhi se kaha,

"kamaal karte ho tum abhi? Sala 2 laakh ki baat hui thi aur tumne 3 laakh mang liya?"

Abhi ne zor se hansste hue kaha,

"Yeh ek laakh mera apna kamaayi hai saeed ji. Iss mein se main aap ko kuch nahin dene wala" aur zoron se hanssta gaya. Saeed ji khamosh rahe.

Kuch der baad Abhi ne pucha,

"yeh cheque aap apne account mein debit karoge ya main apne account mein daal dun?"

Saeed ne kaha,

"are beta mera to aaj tak koyi bank account hai hi nahin! To tumhi dalo apne account mein nah!"

Uss din life mein pehli baar Abhi ki bank account mein 1 lakh rupay deposit kiya gaya! Jiss bande ko 10 rupay ke liye tarasna padta tha, ek cigarette pine ke liye doston se maangna padta tha aaj 1 lakh rupay deposit kiya gaya usske account mein ussko khud yakeen nahin ho raha tha!

Shaam ko bus tow kiya gaya aur Mehboob ji ke aangan mein ek bade se peyr ke niche rakha gaya. Saeed aur Abhi wahin maujood the. Bus ko dekh kar log hanss rahe the. Pados ke log aakar bus ko dekhne lage jiss par ghanns phuss uge hue the, itna mayla tha, ganda tha, gande hare rang ke paani kayi jaga jama hua tha bus mein, jo ek do sheeshe bache hue the sab dark green gande iss kadar dikh rahe the ke ghin araha tha. kuch log Mehboob ji ko paagal keh rahe the ke ek sade hue bus ko jangal se uthakar apne aanagn mein laa rakha tha..

Abhi sun raha tha sabhi ke comments ko aur apne dil mein kaha,

"saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki.."

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani. Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

"Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!"

To be continued.....
 

Update 4 Ruhi Comes in Abhi's Life Once More

"saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki.."

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani. Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

"Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!"

Ab aaguey..

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna.. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye... tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi.. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

"kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!"

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

"kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?"

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

"nahin bhai main buss aise hi... kuch soch raha tha.."

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

"Ari Ruhi aah nah dekh to!"

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

"ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!"

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein.. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye..

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, "PATA NAHIN BAI!"

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha..

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

"Ruhi aakar dekh to sahi nah!"

Aur andar se awaaz aayi,

"uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!"

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan..

Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne. usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha.. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi..

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi....

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga. Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha.. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata..

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

"Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!"

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega..

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke. Abhi ne khud se kaha,

"Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi.."

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi.sirf ek jhalak dikha tha buss... Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal...

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued..(2100 words)
 

Update 5 The First Day of Work

Raat ko Abhi thik se so nahin paaya. Sirf uss ladki ko sochta raha, sapne mein ussko dekha bhi jab bhi zara si aankh lagi to. Ussko jaldi tha wahan wapas jaane ki aur wahan kaam shuru karne ki. Sochta raha kaam karega ya din bhar uss ladki ko dekhta rahega. Kia ladki ghar par rahegi har roz? Kia wo college jaati hogi? Ya kahin koyi kaam karti hogi? Yeh sab soch raha tha Abhi aur khud ko tassalli dete hue kaha ke agar kahin bhi jaati hogi subha aur shaam ko ek dusre ko dekh to payenge.. Abhi sochne laga ki wo uss se baat kar paega? Kaise baat shuru karega? Kia kahega uss se? Aur agar ladki ne baat nahin kiya to? Agar ussne Abhi ko jawaab nahin diya to? Thoda sharmilee type lagi thi uss waqt, to kia Abhi ke saamne aaegi bhi? Yeh sab sochta raha Abhi raat bhar. Apni diary mein bahot kuch likha. Diary one day page tha ussne 5 pages likh diya, matlab agle 4 din ke pages bhi bhar diye aaj ki events ko likh kar, to socha ek naya thick cover ka copy book kharidna hoga sirf inn dinon ko likhne ke liye, jab tak wo wahan kaam karega, uss copy book mein sirf wahan ke events ko likhega.

Subha mamool se bahot pehle uth gaya Abhi aur tayyaar hokar nikla kaam par jaane ke liye. Bus se safar karna tha, ghar se 40 kms ki doorie par thi wo jagah jahan Mehboob ka ghar tha. kaam karne ke liye puarane kapde ek bag mein liya hua tha, aur ek dusre bag mein kaam karne wale kuch auzaar the, aur of course khana bhi tha ek bag mein.

Subha 6.30 ko uss jagah ko reach hua abhi, Saeed bhai aur baaki ke 2 workers bhi aaye thik usske piche.

Bus stop se utar kar marammat karne wale bus tak pahunchne mein koyi 5 minat lagta tha, aur jab uss aangan mein daakhil hua abhi to usski nazar seedhe uss kitchen wale stairs par pahunche, bus par nahin. Chalte waqt bus tak reach hone ke liye abhi ki nazrein idhar udhar dekhta gaya, right mein jo ghar hai matlab jiss ghar mein wo ladki rehti hai, uss ghar ka saamne wale hisse ko ghaur se dekha abhi ne, jo pehla tap tha wahan dekha phir nazron ko uss taraf kiya jahan tap number 2 tha aur ek washing stone bhi tha uss dusre nal ke paas. Aur akhir mein uss jagah pahuncha jahan washroom tha. Aur ab wo washroom to direct uss kitchen ke opposite tha jahan kal Ruhi nazar ayi thi, uss washroom se kitchen ke andar nazar araha tha. Abhi ne ghaur se andar dekha. Koyi bhi nahin tha. Abhi ne sochna shuru kiya ke kal issi kitchen mein wo ladki paka rahi thi jiss waqt usski maa ussko awaaz de rahi thi... Abhi ne ek vision kiya jo flashback ki tarah usske aankhon ke saamne aaye..

Ussne dekha ke ussi neeli dress mein ladki apni stove ke paas karhaayi mein kuch pakaa rahi hai aur Abhi ussko dekh rahi hai phir Abhi uss se ishaare se baat kar raha hai...

Vision khatam hone ke baad Abhi ne socha kia aisa kabhi hoga bhi? Kia yeh mumkin hai? 4 se 6 mahinon tak yahin kaam karna hai kuch to baat aaguey badhegi zaroor... Ek ajeeb si feeling ho raha tha abhi ko, uss kitchen ke andar dekhte hue, soch raha tha jaise usski maa pakaati hai kitchen mein weise hi ladki bhi kal paka rahi thi, ussko pakana ata hai, kia kabi kuch paka kar khilaegi Abhi ko? Wo sochne laga Abhi, usske haath ka paka hua kaisa lagega? Swadisht hoga? Abhi ussko kitchen stove ke paas dekhna chahta tha, ussko pakaate hue dekhna chahta tha, usska dil kar raha tha ke wo ladki wahan aaye aur Abhi usske paas jaakar ussko piche se jakre aur uss se pyar kare.. Aise feelings aa rahe the abhi ke dil mein kapde change karte waqt. ye sab sochte hue Abhi ne apne kapde badle, kaam karne wala purana kapda pehna aur baaki ke logon ne bhi wohi kiya aur sab bus ke paas ekatha hue. Saeed bhai ne Abhi se pucha,

"kaise start karna hai?!"

Abhi ne kaha,

"sabse pehle Mehboob bhai se kaho, ek lamba hose chahiye bus ko dhona hai pehle tab todna hai, saare sade hue tin, loha, shisha, andar ke tute hue seats sab nikaalna hai, bus ko sirf chasis mein dikhna hai ab.."

Wohi kiya gaya.. Oonchi awaaz mein sab baat kar rahe the, ke yeh karo, wahan paani dalo, aisa karo, veisa karo, yahan mat aao, wahan jao etc..

Abhi baar baar uss ghar ke taraf dekhe jaa raha tha kaam karte hue, soch raha tha kia wo abhi tak so rahi hogi? Ussko dekhne ka bada mann tha abhi ko, magar wo bilkool nazar nahin arahi thi. Kia wo kaam par chali gayi hogi? Kia college gayi hogi? Ya university ki student hogi? Usski maa kayi baar nazar aayi. Mehboob bhi kayi baar aaye, sabse baat kiye, Mehboob ki biwi, Rahima bhi aayi, chai dene aayi sabko phir wapas chali bhi gayi magar wo ladki nahin dikhi thi Abhi ko din ke barah bajne ko tha. Bus ko nanga kar diya gaya tha, sirf bus ki chasis nazar arahe the apne 6 wheels par.

Lunch time aya to Abhi gaya apne bag se khana lene ke liye washroom ke paas bag taanga hua tha jiss mein usske khaane ke chizein the; wahan jaate waqt bhi Abhi uss kitchen mein jhaanka aur ladki ki maa nazar aayi bartan maanjte hue sink ke paas, to jhat se abhi ne nazar hatta liya.. Bus ke andar baith kar sab khaane chale. Khaate waqt bhi Abhi baar baar uss ghar ek taraf dekh raha tha.. aur achanak ussne uss ladki ko Mehboob ke ghar se nikal kar apni kitchen ke taraf jaate hue dekha, aaj ek laal dress mein thi, baal khule hue the, ek nazar ussne bus ke taraf dekha aur apni kitchen mein chali gayi.. Abhi ne khud ko kossa ke kyun ussne ladki ko uss waqt nahin dekha jiss waqt wo apni kitchen se nikal kar Mehboob ke ghar Rahima se milne gayi thi. pata nahin kitne time se wo Mehboob ki biwi se baat kar rahi thi aur Abhi ko kuch pata hi nahin chala...

Khaane ke baad sab main road par gaye tehelte hue cigarette kharidne. 45 mins ka lunch break liye the sabne. Yeh normal tha kahin bhi kaam karte to 45 mins lete the sab.

Jab cigarette pite hue wapas daakhil hue uss aangan mein to Abhi ne laal dress wali ladki ko ussi kitchen ki stairs par dekha jahan kal usski maa khadi thi. Magar main road se jiss jagah par wo khadi thi kaafi door tha to Abhi ko wo door dikhi aur Abhi chahta tha ke jab wo bus ke paas aaye to wo wahin khadi rahe taake ussko paas se dekh sake, magar jaise jaise weh log bus ke karib hote gaye ladki wapas apne kitchen mein chali gayi. Abhi shuru mein bahot khush hua ussko wahan khadi dekh kar, wo bus ko hi dekh rahi thi, aur ek baar raaste par dekha Abhi ke taraf, magar jab a
Abhi usski cousin ke ghar ke paas reach hua to Ruhi wapas ghuss gayi. Tab Abhi udaas hogaya aur pray karta raha ke wo wapas stairs par aaye.

Kaam shuru hua, ab saare puraane tin ko nikala jaa raha tha bus se, sade hue lohe ko kata jaa raha tha, hatode aur baaki auzaar se. bahot shor ho rahe the thaak thok, thik thaak ke awaazein bahot sunaayi de rahe the aur a
Abhi ne socha kia pata ke ladki thoda sone gayi hogi to nahin so paaegi unn logon ke shor karne ki vajah se.. do pahar mein bahot saare log thoda sote hein khaane ke baad, jab a
Abhi ghar par rehta tha to yeh usski aadat thi, to ussne socha shayad wo ladki aur usski maa ke bhi weise aadat ho..

Karib 3 baje muhalle ke bahot saare log aaye dekhne Abhi aur team ko kaam karte hue, khaas kar school ke bache log. Unn mein se ek ladka Ruii ka chota bhai tha jo 10th mein tha. wo to abhi ke bilkool paas aake khada ho gaya aur baat karne laga. Abhi ne pucha ke kaun hai kidhar rehta hai kia karta hai vaghaira aur jab ladke ne kaha ke wahin rehta hai to Abhi ko pata chala ke uss ladki ka chota bhai hai. Usska naam pucha tab ahbi ko Khushi hui kyunke ussko pata chala ke yeh Ruhi bhi hindu hi hai kyunke bhai ka naam Mahesh tha. phir Abhi ne pucha ke Mehboob ko chacha kehte hein sab to ussne socha ke Mehboob usske pita ka bhai hai to Mahesh ne kaha,

"hum Mehboob chacha ko 'chacha' iss liye bulaate hein kyunke mummy ne kaha ussko weisa bulaane ke liye"

Aur ek baar Ruhi stair par aayi Mahesh ko bulaane ke liye aur yun kaha bus ke taraf Mahesh ko dekhte hue,

"hey Mahesh chai nahin piyega kia? Main ne serve kar diya aakar pile mujhe sab saaf karna hai jaldi aah nah!"

Jiss waqt Ruhi wo sab keh rahi thi Abhi usski chehre mein dekh raha tha, aur Ruhi ne Mahesh ko dekhte hue wo sab kaha tha magar ek do baar usski nazrein Abhi par bhi gayi.. Abhi ne bahot achi tarah se usski nazron ko follow kiya tha.

Abhi ko behad passand aya usska uss tarah se usske taraf dekhna. Usski nazron mein ek komalta dikha Abhi ko, usski awaaz kitni mithi thi, usski muskurahat jaan lewa laga Abhi ko, usski awaaz aur ziada sunne ko mann kiya Abhi ko to ussne Mahesh se kaha,

"chai pine ke baad wapas ana thoda baatein karenge."

Mahesh ne kaha,

"haan wapas ata hoon, mujhe dekhna hai tum log kaise issko bus banaate ho!"

Shaam ko 4 baje to aur kuch log aagaye aangan mein. Log bhade hue the uss jagah. Kabhi kissi ne bus ko bante hue nahin dekha tha, magar abhi to bus ko ujara jaa raha tha, nanga kiya jaa raha tha.. aas paas ke log jo apne apne kaam se wapas agaye the chale aaye the Mehboob ke bus ko dekhne ke liye. aur tab tak bus ko almost nanga kiya jaa chuka tha.. jab bus aya tha to kuch aisa dikh raha tha aangan mein kal


Jangal mein tha to aisa tha

OLd-bus2.jpg


Aur ab sab tor phor ke baad shaam ko 4 baje bus sirf chasis par tha aur yeh dikh raha tha

bus-chasis.jpg

Ab iss par frame banaya jaega din ba din kaam hoga bus ki frame weld karne ke baad alliminium sheets rivets se chipana hoga, sheets ko measurement se kaatna padega etc..

Shaam ke karib paanch baje jab washroom jaana tha sabko to ek baar aur Ruhi ki maa stairs par dikhi aur usski awaaz yun aayi,

"Ruhi aa dekh nah bus kaise bilkool khali ho gayi hai."

Abhi ne socha ussko ab jaldi se washroom jaana chahiye aur udhar se wo Ruhi ko kitchen mein dekh paega. To jaldi se wo nikla... usske kapde bilkool maile ho gaye the, chehre par bhi jagah jagah par gandh lage hue the, khud ko wash karna tha wo nahin chahta tha ke Ruhi ussko weisa dekhe...

Abhi weise handsome ladka tha, gora rang, 6.2 feet/1m85 ooncha, kayi log ussko 'lambu' bhi bulaate the; usska ek strong personality tha, jaldi se log usske dost ban jaate the aur wo ek centre of attraction tha khud mein hi, log usske taraf nazar karte hi the kissi tarah se bhi, usski oochaayi ki vajah se kuch log ussko dekhte the to kuch log usski personality ki vajah se, to baat yeh hui ke Ruhi ki maa Abhi ko hi dekh rahi thi jab wo washroom ke taraf jaane lage to aur iss se pehle ke wo washroom pahunchta khud Ruhi ki maa ne Abhi se kuch kaha.. Kuch log jawaan 22 saal ke ladke se baat karna passand karte hein, kabhi tang khinchaayi karte hein to kabhi umar wale log jawaan logon se buss baat iss liye karte hein ke dekhein wo jawaan kitna kaabil hai... aur kuch log khud ko jawaanon se dosti karne ke liye baatein karte hein, aur kuch log to jawaanon se akarshit hokar hi baat karte hein..

Abhi ko rukna pada ussko jawaab dene ke liye aur kitchen ke andar se Ruhi Abhi ke chehre mein ek muskaan se dekh rahi thi ke usski maa uss se baat kar rahi hai..

Abhi to khud ko saaf suthra karke Ruhi ke saamne pesh hona chahta tha magar usski maa ne Abhi ko ussi haalat mein rok liya to Abhi ko acha nahin laga magar kaise mana karta uss aurat ne baat kiya to jawaab to dena tha iss liye majbooran ussko rukna pada aur Ruhi ki maa ne muskuraate hue pucha tha,

"kitne dinon mein bus ban jaega?!"

Abhi ne bhi muskuraate hue jawaab diya magar Ruhi ko dekhte hue usski maa ko nahin,

"bahot bada kaam hai yeh, shuruwaat se sab kuch karna padega wo bhi haath se, koyi bhi garage wala machine nahin hai to ziada din lagenge!"

Andar se Ruhi muskuraate hue Abhi ko dekh rahi thi, usski haath mein ek plate tha jissko wo kitchen ki table par rakhne jaa rahi thi magar Abhi ko ruk kar sunne lagi thi, aur abhi ne note kiya ke uss waqt Ruhi ke baal khule hue nahin the, balke bandhe the, kuch iss tarah se ke usski kaandhe par koyi dekhe to lagta tha ke usski baal kaandhe tak katte hue hein, behad khubsurat dikh rahi thi, shayad thoda makeup kiya hua tha ya cream powder lagaayi thi uss waqt Ruhi ne... Abhi ne socha ke khud kitna ganda dikh raha hai, maile kapde, maila chehra, baal bikhre hue, aur Ruhi ek princess dikh rahi thi.. Abhi ko jaldi tha washroom jaane ki, to ussne kaha,

"Wait main wash karke wapas aata hoon aur aap ko samjhaunga ke kitne kaam hai.

Aur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue...

To be continued... (2600 words)
 

Update 6 Second Day at Work

Aur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue...

Ab aaguey.

Abhi ne aine mein apne chehre ko dekha aur khud ko sharam aya usse, usske donon taraf gaal par kaale dhabbe lage hue the, baal bikhre hue the, chehra dhoop mein jhulass gaya tha, gore rang par jaise ek brown colour chipak gaya tha; khud ko dekhte hue abhi ne thoda ghussa kiya ke kyun wo ruka uss aurat se baat karne ko aur kissi ne bhi ussko nahin bataya ke usske chehre par kia laga hua hai, sochne laga ke kia issi liye Ruhi ussko dekh kar muskura rahi thi? Abhi ne khud se kaha,

"kia sochegi mere baare mein? Yehi nah ke main ganda hoon, I am a dirty brat?! Sala log ek ladki ko dekhne jaate hein to smart, handsome ban kar, naha dhokar saaf suthra kapde pehen kar, naye joote, best shirt, khud ko presentable karke ladki ke saamne jaate hein aur main iss tarah se ganda dikh raha hoon kaun passand karega mujhe iss haal mein dhat!!"

Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha... ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha.. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile.. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.

Ab kyunke ussne dekha ke Ruhi ne usske chehre mein dekha to ab Abhi ne socha ke 'Ruhi kahin yeh nah samjhe ke main uss se muskura raha hoon, main to usski adaaon par muskura raha hoon..' Aur abhi ne nazron ko ek taraf kar liya.

Phir Abhi ne khud ko wash kiya aur kapde change kiye. Ab wo apne unn kapdon mein tha jiss se subha bus mein aya tha. jiss kapde se kaam kiya tha ussko wapas ghar lejaane ko pack kiya kyunke wo maile ho gaye the kuch ziada hi. Weise ek hafte tak ek kaam karne wala kapda pehenta hai magar aaj ki baat kuch aur thi kyunke gande bus ko saaf kiya tha to khud maile ho gaye the iss liye kapde ko wapas lejaana pada..

Jitna time Abhi ne liya khud ko dhone, saaf karne ke liye tab tak Saeed tayaar ho gaya tha aur ab Ruhi ki maa uss se baat kar rahi thi. Matlab jo jawaab Abhi ko dena tha wo jawaab Saeed de raha tha Ruhi ki maa ko aur Abhi ne dekha ke Ruhi ab stairs par khadi Saeed ki baton ko sun rahi thi apne maa ke saath.

Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!

Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga.. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka, Mehboob se handshake kiya, aur Saeed se wapas chalne ko kaha. Baaki ke do workers chale gaye the tab tak. Saeed ke paas ek aur ladka koyi 27 ya 28 saal ka baat kar raha tha magar usske haath mein ek camera tha jiss se wo bus ki photos le raha tha, kal jab bus aya tha tab bhi ussne kuch photos liye the. Abhi soch raha tha ke wo kaun hoga, shayad Mehboob ka koyi rishtedar hoga ussne socha. Aur ek budha aadmi bhi tha Mehboob ke paas lagbhag 70 saal ka budha jissko Ruhi ne dada kehkar phukara aur ussko kuch dene lagi, tab Abhi ko pata chala ke wo r
Ruhi ki dada ji hai kyunke kal Abhi ne uss budhe ko Ruhi ke ghar ke saamne baraamde mein dekha tha. to jaane se pehle Abhi ne sabse handshake kiye, aur uss budhe se bhi, aur budhe ne abhi se pucha,

"kidhar ka bashinda ho beta? Door jaana hai kia?"

Abhi ne ussko jawaab diya ke koyi 30 kms tak jaana hai aur apne muhalle ka naam bataya dada ji ko. Uss waqt Ruhi dhyaan se muskuraate hue abhi ko dekh rahi thi usske dada ji se baat karte hue. Abhi ko acha laga ke Ruhi kitni der se ussko weise dekh rahi thi.

Aur aakhir mein Abhi ne wapas jaane ki kadam uthaye aur ek nazar Ruhi ke taraf dekha aur ussko bye wave kiya, saath saath usski maa se kaha, "bye aunty, kal milte hein!"

Ruhi ne hanss diye Abhi ko weisa kehte sunkar aur wo ladka jo bus ki chasis ka photos le raha tha wo bhi hanssa Ruhi aur usski maa ke taraf dekhte hue... Abhi ne to Ruhi ko wave kiya magar Ruhi ne uss se wave ke badle sirf laugh kiye.

Bus mein wapas lautte waqt Abhi ne Saeed se pucha,

"Wo ladka kaun tha jo photos le raha tha bus ki?"

Saeed ne jawaab mein kaha,

"wo uss aurat ka bada beta hai jissko tu taad raha tha kal!"

Abhi heyraan hua aur kaha,

"What? Main kahan taad raha tha uss aurat ko? Aaj wo khud mujhse puch rahi thi ke kab tak bus ka kaam pura hoga!"

Saeed ne tab kaha wo joke kar raha hai,

Abhi ab sochne laga ke Ruhi ka itna bada aur ek bhai hai matlab Ruhi ka bada bhai! Shayad issi liye wo bhi hanssa tha jab Abhi ne usski maa ko bye kaha tha, Abhi ne socha... aur wo din bhar nazar nahin aaye kyunke wo kahin kaam par gaya hua hoga din bhar iss liye sirf shaam ko nazar aya.

Ghar pahunchne se pehle Abhi ne dukaan se ek mota sa thick cover wala copy book kharida 400 pages wala.

Aur ghar jaate hi baith gaya uss mein likhne. Pehle usski cover par title likha - "The Days I Spent At Ruhi's Place"

Pages ko number karna shuru kiya, phir jo kal 5 pages ka likha tha apne dairy mein wahan se sab copy kiya uss nayi copy book mein, aur aaj ki din bhar ka event likha Abhi ne. Sab kuch likha. Kiss tarah se Ruhi ussko dekh rahi thi, kiss tarah muskura rahi thi, kiss tarah kitchen mein pakka rahi thi etc . Apne feelings ko likha, ussko kitna acha lagta hai wahan jaana, wahin rehne ko mann karta hai yeh sab kuch likha Abhi ne. Aur yeh lines likh kar aaj ka likhna end kiya;

"I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other's hands and watch TV?"

Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.

*********************************************************************************

Agle subha aur bhi ziada savere uth gaya Abhi. Usske dilo dimaagh mein sirf Ruhi bassa hua tha. Toilet kiya, brush kiya, aur brush karte waqt soch raha tha kia Ruhi uth gayi hogi iss waqt? Subha ke 5 baja tha. ya abhi neendh mein hogi? Aur agar neendh mein hogi to mujhko sapne mein dekh rahi hogi kyunke main ussko yaad kar raha hoon.. Abhi ne baal mein kanghi chalaate hue yaad kiya kiss tarah kal Ruhi ussko dekh rahi thi jab wo kanghi kar raha tha apne baal mein shaam ko, aur socha ke ab shaayad har roz weisa mauka milega ussko kyunke ussi time ko har roz kaam end karna aur wash karne jana hai aur ussi waqt Ruhi kitchen mein cook kar rahi hoti hai, yeh soch kar Abhi ko Khushi hui, dil ko ek sukoon mila.

Abhi ne shave bhi kiya, weise to har do din baad shave karta tha, magar kyunke ab Ruhi ka saamna karna tha ussne shave kiya aur soch liya ke jab tak Mehboob ki bus mein kaam karega har roz shave karega.. Wo chahta tha ke wo Ruhi ko handsome dikhe. Handsome to tha hi Abhi ziada hi hansdsome tha, magar unn dinon clean shaven hona hota tha, jiss ne teen din se ziada shave nahin kiya ussko ganda kaha jata tha.

Ab kaam ke usske saare puraane kapde hote the, magar ussne yeh bhi decide kiya ke ab purane wale kapde nahin pehnega wahan jab tak kaam karega. Ek dark jean aur ek dark blue wala shirt liya kaam karne ke liye. Weise to takriban saal bhar ek set kapda use karta tha, aur 4/5 saal purana kapda use karta tha kaam karne ke liye, magar Ruhi ke liye sab special karna chahta tha. To behtareen kapda liya kaam karne ke liye, wo libaas jo ab tak almost naya tha ussko ek saal tak pehen sakta tha ussne ussko kaam karne ke liye le liya.

Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha.. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par.. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega... Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi. usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the...

Ab samajh mein nahin aya ke Ruhi Abhi ko dekh kar darr gayi, sharma gayi ya bilkool expect nahin kiya tha ke itne savere koyi ghair usski aangan mein achanak prakat ho jaega, aur usska chehra bilkool badal gaya, sirf ek teerchi nazar se ek baar dekha Abhi ko ek pal ke liye aur turant chehra ek taraf kar liya Ruhi ne, jab tak abhi usske level reach hua, to abhi ne usske taraf dekhte hue kaha,

"Hello, good morning, how are you?!"

Ruhi ne ek shabd bhi nahin kaha. Wo gulaab ke phoolon ko dekhti rahi, Abhi reply expect kar raha tha, magar ruk to nahin sakta tha ussko aaguey badhna tha washroom ke taraf change karne ke liye, agar ruk kar Ruhi se savere savere baat karta to sahi nahin hota Abhi ne socha, kyunke abhi usski jaan pehchaan bhi nahin hui hai uss se, iss liye Abhi aaguey badhta gaya mudhkar Ruhi ke traraf dekhte hue, aur dhire dhire kehta gaya,

"bahot khubsurat gulaab hein, shabnami katrein nazar arahe hein gulaabon ke upar, photos lenge to behad khubsurat lagenge.."

Khuda jaane ke Ruhi ne Abhi ke unn baton ko suna bhi ya nahin, Abhi badhta gaya washroom ke taraf weisa kehte hue.

Abhi washroom mein apne working clothes pehente hue sochne laga ke kal shaam wali Ruhi aur aaj ki garden wali Ruhi mein kitna antar hai. Kal shaam wali Ruhi kitni khil kar dekh rahi thai Abhi ko, ussko bye bhi kiya tha Abhi ne wave karte hue aur wo hanssi thi, aur aaj bilkool alag thi wohi Ruhi... ek good morning ka jawaab bhi nahin diya savere savere... Abhi ne khud se kaha,

"Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera. magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan.. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte..!"

Washroom se kapde change karne ke baad garden ke taraf jhanka Abhi ne aur dekha ke Ruhi ne phool tod liye aur ghar wapas chali gayi thi saamne wale darwaze se ghar ke andar gayi, kitchen ke taraf nahin aayi. ab ghar ke andar se zaroor kitchen mein aegi to abhi wahin wait karta raha kuch der tak. kitchen ka door open tha magar kitchen mein koyi bhi nahin dikh raha tha.. usski maa bhi nahin thi..

Abhi sochne laga - "kia Ruhi ne hi chai banaaye honge ya usski maa ne? kia Ruhi sabse pehle uthti hai, aur kitchen mein aati hai? Kitchen saaf suthra dikh raha tha..."

Tab tak Rahima apni kitchen se Abhi ko hello karti hai puchte hue ke itne savere chale aaye... Rahima ek 30 se 33 saal ki bahot khubsurat aurat thi. Usski ek unique beti thi Farzina naam se jo primary school jaati thi.. Abhi ne ek do baat kiye usske saath Ruhi ke kitchen ke taraf dekhte hue..

Abhi phir sapnon ki dunya mein kho gaya. Ussne kuch aisa socha ke kaash Ruhi kitchen mein aaye aur Abhi se puche ke ussne chai pee liya, aur ek cup chai serve kare abhi ko apne haath se.

Abhi ne itna socha hi tha ke Ruhi ne to nahin magar Rahima ne ek cup chai diya abhi ko, garma garam chai jo abhi abhi banaya tha ussne.

Chai peete hue Abhi Ruhi ke kitchen ke taraf dekhta gaya Ruhi ko sochte hue, aur usski bagiche mein bartaav ko sochte hue.. Abhi ko kuch acha nahin lag raha tha, usska din aaj bahot bura guzrega ussko lagne laga tha..

"kyun Ruhi ne mujhko jawaab nahin diya? Kyun ek taraf dekha ussne? Kal to sab thik tha aaj kia ho gaya? Kia aaj din mein mujhse muskuraegi? Mujhko dekhegi bhi ya nahin? Kyu eisa behave kiya ussne mere saath savere savere? Main kia samjhun? Kia ussne mujhe suna nahin hoga? Aisa keise ho sakta hai, sab khamosh the, fiza thandi, ek awaaz bhi nahin kahin, keise meri awaaz nahin suni hogi IMPOSSIBLE... achi tarah se suni ussne mere waaz ko magar jaan bujh kar jawaab nahin diya ussne.. Kia main ajnabee hoon? Kia kal humne baat nahin kiye? Usski maa se, usske bhai se, dada ji se, sabse baat to kar liye to ajnabee kaise hua main?!!"

Abhi ko kuch bhi acha nahin feel ho raha tha. usska dil jaise baitha jaa raha tha, himmat nahin ho rahi thi usse aaj kaam karne ki.. Weakness feel karne laga sirf Ruhi ki berukhi ki vajah se..

Kuch der baad wo bus ke paas gaya ek aur cigarrete jala kar, chasis ke charon taraf ghuma aur soch raha tha kahan se shuru karen frame banane ko, tabhi Saeed aur do dusre mulazin haazir hue...

Abhi ko pata tha, balke laga aaj ka din lamba aur bhaari guzrega.. Welding karna hai aaj din bhar, bus ki chasis par frame weld karna hai.. Tabhi kitchen ke stair par Ruhi aur usski maa nazar aaye. Ruhi ab nightgown mein nahin thi, ussne ek white blouse aur dark skirt pehni hui thi.. Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the.. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

"cigarette pina achi baat nahin hai ji!"

To be continued..... (3103 words)
 

Update 7 And It Continued..

Ruhi ko pata tha ke abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

"cigarette pina achi baat nahin hai ji!"

Ab aaguey..

Abhi ne to abhi abhi socha ke din bura guzrega magar sab ulta ho raha tha ussko kitni Khushi hui Ruhi ki uss baat ko sunkar wo bayaan nahin kar sakta... Abhi ke samajh mein nahin aya ke kia jawaab dein Ruhi ko, wo Abhi ki reply ka wait kar rahi thi, jhaaru lagana bandh kar diya tha khadi thi Abhi ka jawaab paane ke liye ek Muskaan banaaye hue apne honton par.. Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur wo Abhi ko hi dekh rahi thi muskuraate hue kyunke ussko pata tha ke Ruhi uss se baat kar rahi hai..

Tab tak Saeed ji Abhi ke paas aa gaye aur kaha,

"Abhi Welding machine ko ek current point mein to lagao, shuru karo yaar!"

To Ruhi ko laga ke wo abhi ko kaam karne ke liye disturb kar rahi hair to wapas jhaaru lagaane lagi Saeed ko dekh kar aur Abhi ne feel kiya ke Saeed bhai ne ussko disturb kiya aur ussko jawaab diya,

"Saeed bhai wo bhi main hi karun? Tony se kaho nah current point mein lagaane ko, mujhe to weld karna hai, aur tubes ko measurement par kaatna hai pehle, aap tubes ki measurement to lelo bhai!"

To Saeed bhai chala gaya Tubes ke taraf aur Abhi wapas Ruhi ko dekha aur kaha,

"sunon please, ek baat puchni hai!"

Ruhi do kadam Abhi ke taraf muskuraati hui aayi aur pucha,

"kia? Cigarrte kyun nahin pina yeh puchoge aap?"

Abhi ne hansste hue kaha,

"are nahin puchna yeh hai ke aap ko main ne kuch der pehle good morning kaha to aap ne jawaab kyun nahin diya?!"

Ruhi heyrani se abhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

"What? Aap ne kab mujhse baat kiye, baat to main ne aap se kiya abhi abhi?!"

Abhi: "are yaar, jab tum garden se roses pick kar rahi thi aur main araha tha tab tumko good morning kaha tha nah?!"

Ruhi: "Really? Main ne to kuch nahin suna, sorry then, very good morning to you too and do have a nice day."

Abhi bahot khush hua aur kaha,

"wow that's great then, same to you my dear!"

Ruhi ne niche dekhte hue dhire se kaha,

"I am not your 'dear' aur aap to acha English bol lete ho to eisa kaam kyun karte ho aap?!"

Abhi: "Why? Iss kaam mein kia buraayi hai bhala?"

Ruhi: "meri mummy kehti hai yeh kaam sahi nahin hai kyunke iss mein future nahin hai!"

Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur Ruhi ko jawaab diya,

"tumhari mummy ghalat kehti hai, this job is a perfect one."

Tab tak Saeed wapas agaya aur thoda bossy hote hue Abhi se kaha,

"Abhi yeh baatein karne ka time nahin kaam karne ka waqt hai nah?!"

Saeed ki baat ko sunkar wahan se Ruhi bhaag chali!

Abhi ko acha nahin laga jiss tone mein Saeed ne Abhi ko Ruhi ke saamne weisa kaha. Magar Ruhi se batein karke Abhi bahot hi khush tha aur ab khud se kaha ke usska din ab bahot majedaar guzrega aaj to.

Abhi phir kaam par lag gaya. Kaam karte waqt of course baar baar Ruhi ke ghar ke taraf dekh raha tha. Abhi ne ek measurement tape lekar bus ki front side ka measurement liya, aur usske motabik lohe ko kaata bus ke front side ki frame weld karne ke liye. Saeed ne wohi kaam bus ki back side par kiya aur jo helper Tony tha wo Abhi ka saath raha aur ek dusra ladka tha Vinay naam se wo Saeed ka help kar raha tha.

Ab front side ke liye lohe ko curve karna tha weld karne se pehle. Yeh kaam garage mein ek bada sa machine mein hota tha, bade bade lohe ko kissi bhi form mein moda jaata tha tab bus ki chasis par weld kiya jata tha, ab yahan sab kaam haathon se karna tha to Abhi ne measure par kaate hue lohe ko ek bada sa hathode se ek dusre purane bus ki engine par rakh kar ek taraf Tony se hold karwaya aur uss lohe par hatoda maarta gaya ussko curve form dene ke liye. Uss se bahot shor ho raha tha. Koyi ek ghante tak abhi ko time hi nahin mila Ruhi ko dekhne ki magar Abhi ko pata nahin tha ke Ruhi apne ghar ke andar se khirki ke paas parde ke kone se Abhi ko wo kaam karte dekh rahi thi aur usski maa bhi dekh rahi thi Abhi ko uss lohe ko form dene ke liye kiss taraah hatoda maar raha tha. Ab wo loha Tony se sambhala nahin jaa raha tha kyun ke jab Abhi uss par hathoda maar raha tha to Tony ke haath mein shock lag raha tha iss liye kayi baar loha uss ke haath se chuth gira, aur ek baar loha jab Tony ke haath se chhuta to wo end wapas Abhi ke thik chehre ke paas laut kar ruka aur jhat se Abhi ne kuch kadam piche liya varna ussko gehra choat lag jata. Ruhi ne wo sab dekha aur usski aah nikli jiss waqt wo loha wapas Abhi ke chehre ke paas gaye to..

Kyunke jab loha bounce hokar gira ek ajeeb sa shor hua aur Tony zor se abhi ka naam chillaya ussko warn karne ke liye to Saeed, Vinay, Mehboob, Ruhi ka dada, Ruhi ki maa sab turant baahar aaye dekhne ko ke kia hua...

Haath mein wo bada sa hatoda liye jiss action se upar chalaang laga kar Abhi kuda tha uss lohe se bachne ke liye, phir jiss jagah jaa kar Abhi land hua tha haath mein hathode sameth wo ek heroic action tha jissko Ruhi ne admire kiya. Hero lag raha tha Abhi uss action ko karte hue. Aur jahan land hua tha Abhi uss chalaang ke baad wo Ruhi ki terrace par tha, aur thik ussi jagah se ruhi Abhi ko jhaank rahi thi. Aur ussne turant khirki ki parde ko hatta kar abhi se kaha,

"Bahot dangerous hai yeh kaam, aap bahot khatarnaak tarike se abhi hurt ho sakte the, mujhko bahot darr laga jab main ne uss lohe ko aap ke sar ke taraf udh kar aate hue dekha to, mujhe laga ke aap ko lag gayi.. Aap bahot flexible body ke malik ho gymnastic karte ho kia aap? Aap wahan se kaise, jaise udhkar yahan pahunche?!"

Abhi ko bahot hi acha laga Ruhi ko wo sab kehte hue sun kar aur jawaab diya ke garage mein ek sophisticated machine hai jo lohe ko modta hai, yahan kuch nahin hai iss liye haath se karna pad raha hai varna kaam bilkool dangerous nahin hai.. Phir bhi Ruhi ki maa ne bhi join kiya Ruhi ko aur kaha ke dangerous hai yeh kaam. Tab tak Saeed aur Mehboob bhi Abhi ke paas aagaye to Saeed ne kaha ke Tony ki ghalti hai ussko kissi bhi keemat par lohe ko chorrna nahin chahiye tha. Aur Saeed ne Abhi se kaha ke wo khud tony ke jagah ab lohe ko hold karega taake Abhi uss par hathoda maar sake. Jab dobara Abhi jaane laga hatoda maarne to apni meethi awaz mein ruhi ne darte hue abhi se kaha,

"be vey careful please, I am feeling scared!"

Abhi ka dil machal gaya Ruhi ki uss caring words se. kitna khayal rakh rahi thi wo Abhi ka. Abhi ko itna acha laga ke usska dil andar jaise jhomne laga tha.

Kaam jaari rakha gaya.. Aur ek ghanta laga abhi ko bus ki front side ke tamaam lohon ko curve form dene ke liye usske baad ussne welding karna shuru kiya chasis par unn kaate hue aur mode hue tamaam lohon ko. Baar baar Ruhi ke ghar ke andar jhank bhi raha tha ke kahin Ruhi dikhegi ya nahin..

Ruhi nazar nahin aayi magar dusri nal ke paas Ruhi ki maa nazar aayi pathar par kapde dhote hue, aur pata chala ke wo kissi se baat karte hue kapde dho rahi thi to Abhi samajh gaya ke ruhi wahin hogi ghar ke piche wale hisse mein jahan se Abhi ko wo nazar nahin arahi thi...

Abhi jo lohe tubes weld kiye jaa rahe the bus ki chasis par, wo base the frame ki. Ab uss base se upar aur tubes jode jayenge jo upar tak bus ka form lega. Wo sab karne mein ek mahina lag jaega. Abhi to kaam ki shuruwaat thi.

Der ghante beet gaye aur ek do baar Abhi ne dekha ke ghar ke piche se ek do baar Ruhi ne ussko dekha weld karte hue. Buss jhank rahi thi phir ghar ke piche ho jaati thi, same time apni maa se baat kar rahi thi... Abhi ko pyas laga aur dekha ke nal hai to ek khali botal lekar gaya paani bharne, ussi bahane Ruhi se ek do baat kar leta, magar usska plan fail hua kyunke tap number one tha yahin bus ke paas, to kyun karib ke tap ko chorr kar piche wale tap mein paani bharne jata?! Phir bhi pani lene se pehle Ruhi ki maa se permission liya ke kia uss nal se paani le sakta hai.. Jiss waqt Ruhi ki maa Abhi ko reply kar rahi thi, Ruhi saamne aayi Abhi ko dekhne ke usski maa se kia keh raha tha wo. Muskura rahi thi aur jab abhi pani bharne laga botal mein to Ruhi ne kaha,

"pani maangte nahin hein, buss le lete hein, agli baar puchna nahin buss nal kholna aur bhar lena okay?!"

Abhi ne muskuraate hue thanks kaha, thik tabhi Ruhi ki maa ne Ruhi se kuch kaha, aur turant Ruhi ne Abhi se kaha,

"Hello? Juice piyoge? Thoda sa juice bana doon kia?!"

Yehi bat keh rahi thi Ruhi se usski maa ke kyun nah thoda sa juice de diya jaaye unn logon ko.

Magar Abhi ne Ruhi se muskuraate hue kaha,

"suno dear, juice sahi hai magar ek problem ho jaega!"

Ruhi heyrani se Abhi ko dekhte hue pucha,

"What? Juice se kia problem ho jaega bhala?"

To abhi ne kaha,

"juice piyunga to cigarrete pine ka mann karega kyunke juice sweet hoga nah? tab tum kahogi ke cigarrte pina acha nahin!"

Abhi ki reply sunkar Ruhi ki maa zor se hanss padi, aur Ruhi ne munh banaate hue kaha,

"to phir thik nahin nahin banaugi juice mat pina cigarrete phir!"

Phir bhi Ruhi ki maa ne Ruhi ko juice serve karne ke liye kaha ussko, magar haath ke ishaare se Abhi ne mana kiya.

Jab Abhi wapas kaam karne laga to Tony ne Abhi se kaha,

"tum ne kaise pata liya uss ladki ko yaar? Kitni khubsurat hai, pyari bhi hai, ek din mile aur tumne ladki pata liye wah yaar!"

Abhi ne Ruhi ke taraf dekhte hue Tony ko jawaab diya,

"abhi pataya kahan hai yaar, abhi to sirf baat cheet chal rahi hai, normal, casual baatein ho rahe hein, pataana to abhi door ki baat hai .."

Tony ne kaha,

"are bhai saaf dikh raha hai ke wo tumko kitna passand karti hai. Pahaad par chadhne ki zaroorat nahin yeh pata karne ke liye ke ladki tumko kitna passand karti hai saath mein maa bhi hahaha, wife aur saas donon mil gaya tujhe to!"

Abhi ne khush hote hue Tony se kaha,

"tere munh mein ghee shakar yaar, kaash yeh sab sach ho jaaye! Wo mujhko bahot passand hai yaar, I am really in love with her!"

Tony ne kaha,

"yeh bhi saaf dikh raha hai ke you are in love with her, magar tumko shaayad nahin dikh raha magar mujhko dikh raha ke she is also in love with you bhai!!"

Abhi bahot hi khush hua Tony ke baton ko sun kar.. Aur phir aur bi ziada Ruhi ke taraf dekhne laga Abhi. Magar Abhi ko nahin lagta tha ke Ruhi bhi uss se pyar karne lagi hai. Ussko lagta tha ke shayad thoda aakarshit hui hai Abhi se, shayad handsome hai iss liye magar pyar karne lagi yeh nahin dikh raha tha Abhi ko. Abhi ko karna yeh tha ke ussko Ruhi ko khud se pyar karwana tha, Abhi chahta tha ke Ruhi ko bhi Abhi se weise hi pyar ho jaise Abhi ko uss se hone laga hai..

Abhi ne socha phir wo Ruhi ko apne dil ki baat bataega. Abhi Ruhi ke aur paas jaana chahta tha. Abhi to kewal do din hue the; aur Ruhi Abhi ko jaanta bhi kahan hai, donon ek dusre ko achchi tarah se jaan lenge tab Abhi baat ko cherrega aisa socha hai Abhi ne.

Tony ne kaha,

"ziada der mat karna bhai kahin koyi aur baazi nah maar le!"

Yeh sunkar Abhi ko jhatka laga. Pareshan hua wo, aur Ruhi ke chehre mein dekhne laga... aisa fix dekha Ruhi ke chehre ko ke khud Ruhi hayraan hui aur ishaare se Ruhi ne hi pucha, "kia hua?!"

Abhi ke chehre mein ek udaasi chaah gayi thi, jo shayad Ruhi ne note kiya, Abhi lagataar ussko dekhe jaa raha tha aur Ruhi uncomfortable feel karne lagi.. Ruhi ne phir Abhi ko dekha aur haath ke ishaare se pucha kia hua to Abhi ne naah mein sar hillaya matlab kuch bhi nahin kaha... phir Abhi ne dekha ke Ruhi ki maa taar par kapde sukhne ke liye taang rahi thi to jaldi sse Abhi bina kuch soche samjhe Ruhi ke taraf gaya.

Abhi ko apne taraf aate dekh kar Ruhi ka chehra laal ho gaya jaise ussko pata tha Abhi uss se kia kehne araha hai, Ruhi kabhi apni maa ko dekhti to kabhi bus mein dusre logon ko kaam karte dekhti phir Abhi ko dekhti. wo kuch ghabra si gayi..

Bus ke andar se Saeed bhai Abhi ko ghusse se dekh raha tha. ussko nahin passand tha ke kaam ke waqt Abhi idhar udhar jaaye.

Abhi Ruhi ke bilkool karib pahuncha aur dheemi awaaz mein, aashikana andaz mein pucha,

"Tumhari life mein koyi hai? Please sach batana? Agar hai to be jhijhak batado please."

Ruhi hanss padi, chehra laal to hua hi tha aur Abhi ki baat sun kar wo hanssne lagi phir pucha,

"iss sawaal ka ek sawaal se jawaab doon?!"

Abhi usski hanssi ko admire karne laga, kitni khubsurat dikhti hai Ruhi hansste hue. Phir Abhi ne kaha,

"okay wohi sahi bolo to!"

Ruhi ne hansste hue hi pucha,

"yeh sawaal kyun? Jaan sakti hoon?!"

Abhi ne bilkool heyraan hote hue kaha,

"Areeee?! Kamaal hai, yeh koyi jawaab hai? Sawaal bhi nahin fit baithta ab.. Mera sawaal to sawaal hi reh gaya nah?!"

Ruhi ki maa donon ko muskuraate hue dekh rahi thi kapde taar par taangte hue.

Abhi ne phir dhire se kaha,

"please batao nah mere liye ye bahot important hai bolo nah please."

Ruhi ne intelligently jawaab diya,

"kaise important ho sakta hai bhala? Hum ek dusre ko jaante bhi nahin, abhi do din hue ek dusre se baat kiye hue to kia important ho sakta hai do dinon mein? Mujhe nahin yakeen ke kuch bhi important hai abhi, I don't believe you!"

Abhi ne socha wo bhi sahi tha.

Ruhi ab blush karne lagi aur apne jeeb ko apne upper lip ke andar se honth ko fullaya, phir muskuraayi Abhi ke chehre mein dekhte hue... donon ek dusre ke aankhon ki gehraayi mein dekh rahe the. Abhi ne note kiya ke Ruhi ki nazrein usske chehre ko chaaro taraf dekh rahe the, usski peshaani ko dekha usski nazar ne, phir usske gaal ko dekha, tab usske chehre ko dekha tab usske aankhon mein wapas dekha... aur Abhi ne kaha,

"samajhdaar ko ishara kaafi hai, mujhe jo kehna tha so main ne keh diya, aaguey tumhari marzi miss Ruhi"

Yeh keh kar Abhi mudhne wala tha wapas bus ke paas jaane ke liye magar Ruhi ne ussko yeh kehkar roka,

"bilkool nahin, aap ne kuch bhi kaha nahin, aap ne ek sawaal kiya tha mujhse, kuch kehne aur sawaal karne mein antar hote hein mister Abhi!"

Abhi ne Ruhi ke aankhon ki gehraayi mein dekhte hue kaha,

"mera sawaal hi ishara tha meri baat ka, uss sawaal se ishara mil gaya hoga, samajhdaar to ho tum, to ishara kaafi hai tumko hehehehe!"

Aur Abhi jaane laga wapas, to Ruhi hanssne lagi aur kaha,

"bahot honshiyaar samajhte ho aap apne aap ko nah Abhi?!"

Tab tak Abhi bus ke paas reach ho chuka tha aur mudhkar Ruhi se kaha,

"samajhta nahin hoon Miss Ruhi, main HOON. Honshiyaar hoon main!"

Ruhi ussko dekhti rahi kaafi der tak hansste hue. Apni jagah se baar baar Abhi muskuraate hue Ruhi ko dekhe jaa raha tha weld karte hue, aur Ruhi bhi ab bade pyar se Abhi ko dekhti jaa rahi thi...

Kapde taar par sukhne ke liyne taangne ke baad Ruhi ki maa ne Ruhi se hansste hue pucha,

"kia keh raha tha Abhi?"

Ruhi thodi sharmaayi aur kaha,

"Puch raha tha ke kia koyi meri life mein hai kia? Hahahaha!"

Ruhi ki maa ne bus ke taraf Abhi ko dekhte hue Ruhi se kaha,

"Kaafi tez hai yeh ladka, yeh puchne agaya bus do din ki mulakaat mein? Hmmm aur tumne kia kaha usse?"

Ruhi ne balkhaate hue kaha,

"kuch nahin kaha main ne, main ne usske sawaal par sawaal se jawaab diya ke wo kyun yeh sawaal kar raha hai mujhse hihihihi!"

Maa: "Aur phir wo chala gaya kia?!"

Ruhi: "nahin bahot tez hai wo sach mein, padha likha lagta hai, English bhi acha bolta hai maa, ussne mujhe kaha ke samajhdar ko ishara kafi hai, aur kaha ke main samajhdar to hoon so samajh jaungi ke ussne ye sawaal kyun kiya mujhse, sach mein honshiyaar hai khud bhi kaha ussne hehehehe!"

Maa ne Ruhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

"to ab tu kia karegi? Bata? Kia wo pasand hai tujhe?"

Ruhi ne ek gehri saans lete hue Abhi ke taraf dekha, phir apni maa ke chehre mein ek ajeeb si sikanjh chehre par laate hue kaha,

"pata nahin maa, pata nahin mujhe, kitna handsome hai, hai nah maa? Padha likha bhi hai aur strong hai, kitna lamba hai maa!! Main kia karun maa?!"

Maa ne bhi ek gehri saans liye aur kaha,

"Mujhe kia pata mujhse kyun puch rahi hai, tu bol kia karna hai ab?!"

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

"Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi.."

To be continued.. (3225 words)
 

Update 8 The Next Early Morning

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

"Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi.."

Ab aaguey..

Wo din kuch weise hi beeta, ek dusre ko dekhte, kabhi kitchen ki stairs par Ruhi aati to kabhi ghar ke piche wale hisse par washing stone ke paas. Donon ek dusre ko dekhte, muskurate, aankhon aankhon se ishaare karte etc.

Sham hui, bahot saare log aa gaye uss aangan mein dekhne ke bus kaise ban rahe hein.. Ruhi ka bada bhai bhi agaya, usska naam tha Manoj. Matlab Ruhi ke bhaiyon ke naam the Manoj aur Mahesh, Kissi firm mein kaam karta tha baaton baaton mein Abhi ko yeh pata chala usske baare mein.

Ruhi ke dada ji bhi kayi baar Abhi se baat karne aya tha usske paas jab Abhi weld kar raha tha. Budhe ko welding ke baare mein kaafi pata tha, uss baare mein baat kar raha tha Abhi se. Aur jab jab Abhi Ruhi ke taraf dekh raha tha to dada ji Abhi ko observe kar raha tha aur andar andar muskura raha tha.

Ab shaam ko ghar wapas jaane ke time kuch ziada log ekatha ho jaate the aangan mein to Ruhi door rehti thi, saamne kum aati thi kyunke sab log notice kar lete unn donon ko. Aur Abhi yeh chahta tha ke usske jaane ke waqt Ruhi usske saamne rahe, jaane se pehle wo Ruhi ko dekhte hue wahan se nikalna chahta tha. aur hua yeh ke jab Abhi washroom gaya khudko fresh karne to Ruhi kitchen mein bhi nahin dikhi.

Manoj aas paas tha iss liye shayad Ruhi doorie barak rahi thi Abhi ne socha, magar kal shaam ko to Manoj ke haziri mein hi Abhi ne Ruhi ko goodbye wave kiya tha to aaj kyun Ruhi door thi, wo thi kahan? Abhi ko kuch bhi acha nahin lag raha tha uss waqt. Bechain ho raha tha aur pray kar raha tha ke jaane se pehle Ruhi usske ssaamne aa jaaye.

Jab Abhi tayyar ho gaya, change kar liya, hair brush kar liya aur kitchen mein dekha to sirf Ruhi ki mummy thi wahan Ruhi nahin thi, Abhi udaas ho gaya aur socha ke kitchen ke stair par ja kar uss se puche ke Ruhi kidhar hai..

Phir abhi ne socha ke kia Ruhi kahin ghar ke andar se ussko dekh to nahin rahi? Kia ussne jaan bujh kar weisa kiya taake dekh sake ke Abhi ussko dhundta hai ya nahin? To Abhi ghar ke andar dekhne laga, khidkiyon ke paas dekhne laga ke koyi pardah hille, magar kuch nahin dikha aur aakhir mein ussko nikalna pada washroom se. Saeed bhai usska wait kar raha tha bus ke paas.

Jab Abhi ne mudhkar kitchen ke stairs par dekha to koyi nahin tha aaj usski maa bhi nahin thi wahan. Abhi ne socha kal kitna haseen shaam thi aur aaj kitna alag hai kyunke Ruhi saamne nahin hai.

Jab Tap number one ke paas aya abhi to ussne Ruhi ke dada ji ko goodbye kaha aur oonchi awaaz mein kaha,

"Acha main ab chalta hoon bade miyan kal milte hein bye!"

Abhi ne jaan bujh kar oonche awaaz mein baat kiya taake andar se Ruhi ussko sunein aur ussko pata chale ke wo wapas ghar jaa raha hai.

Main road par nikalte nikalte abhi ne kayi baar mudhkar stairs par dekha magar Ruhi nahin dikhi, Abhi ne ghar ke piche wale hisse par bhi dekha jahan kapde dhote hein wahan bhi dekha magar Ruhi kahin bhi nahin dikhi aur Abhi bahot udaas nikla wahan se iss shaam ko.

Wahan se ghar jaate waqt bus mein sirf Ruhi ke baare mein sochta gaya, ussko ek ghutan si feel hone laga tha, ek bhaaripan jaisa tha usske seene par, ek bojh feel ho raha tha usse, sirf iss liye ke Ruhi nazar nahin aayi aaj shaam ko. Ruhi ko dil mein basaaye, mann mein bithaaye safar kiya Abhi ne ghar tak.

Aur apni special diary mein sab likhne laga aaj ke din ke baare mein. Khud muskuraate hue likh raha tha ke kiss tarah se aaj Ruhi se baatein hui, kiss tarah uss se puchne gaya tha ke kia usski life mein koyi hai, aur Ruhi ka jawaab bhi likha sab kuch ek ek pal ko likha Abhi ne...

Sab kuch likhne ke baad bahot der tak sochta raha ke kyun aaj shaam ko Ruhi nazar nahin aayi, yeh baat Abhi ko bahot disturb karne laga tha.

Raat der tak neendh nahin arahe the Abhi ko. Ussko sirf Ruhi nazar arahi thi har jagah. Sote, jaagte, uthte, baithte sirf Ruhi bassa hua tha Abhi ke khayaalon mein, bade mushkil se aankh lagi aur ussko laga ke buss kuch minaton mein subha ho gayi.

*******************************************************************

Aangan mein chalte hue daakhil ho raha tha Abhi Ruhi ki yadon mein doobe, aur garden mein dekha ke kahin Wo phir se dikh nah jaaye gulaab pick karte hue. Abhi aate waqt yehi soch liya tha ke kaash aaj bhi wo garden mein dikhe to Abhi aaj ruk kar uss se baat karega aur puchega ke kahan thi kal shaam ko, kyun ussko jaate hue nahin dekha.. Magar Ruhi to aaj subha garden mein thi hi nahin. aur abhi ne khud se kaha,

"sala aisa kyun hota hai har baar? Sab ulta kyun hone lagta hai, jab bhi kuch kehna chahun, to mauka saamne ata hi nahin."

Aur wo washroom reach hua. Ruhi ke kitchen mein dekha, khaali tha kitchen. Koyi nahin tha wahan. Subha ke 6 baje the. Kaam to 7 baje start hota hai aur 6 baje Abhi wahan pahunch gaya tha, sirf aur sirf Ruhi ke liye. Log so rahe the aur Abhi kaam ke site par aa chuka tha.

Ab Abhi ko Khushi hoti ke Ruhi ussko apne achche kapdon mein dekhti iss se pehle ke wo kaam karne wala purana kapda pehenta. Abhi subha subha fresh tha, dhoop mein jhulsa hua nahin tha, usska skin fresh tha, shave kiya tha aane se pehle, aftershave lagaya tha, thoda perfume bhi lagaya tha shirt par; ek Wrangler Blue Jeans aur ek safed shirt pehna hua tha. ek pair of khubsurat sport shoes mein tha. To chahta tha ke Ruhi ke saamne weise pesh aaye, taake wo Ruhi ko acha dikhe. Abhi yeh bhi soch kar early aya tha ke 6 se 7 baje tak pura ek ghanta hoga usske paas Ruhi se baat karne ko agar wo saamne aati to.. Magar wo dikh hi nahin rahi thi. Sab se pehla sawaal abhi ko yeh karna tha Ruhi se ke kal shaam ko wo kidhar thi, kyun saamne nahin aayi, aur aaj Abhi Ruhi se yeh request karne wala tha ke aaj se har shaam ko jab usska wapas jaane ka time aaye to Ruhi usske saamne rahe, kitchen ke stairs par present rahe taake Abhi ussko goodbye keh sake, ussko wave kar sake. Yeh kehna tha Abhi ko Ruhi se aaj. Magar wo dikhe tab nah?!

Abhi sochne laga kia Ruhi abhi tak so rahi hogi? Kia wo late uthti hogi? Phir abhi ne khud se kaha ke nahin kal to garden mein takriban issi waqt wo gulab tod rahi thi, matlab jaag jaati hai wo savere. Kia ghar ke andar se Ruhi Abhi ko dekh rahi hogi? Kia jaan bujh kar wo Abhi ko tarpa rahi thi? Yeh sab soch raha tha Abhi.

Abhi ne kapde nahin badle, socha ke 7 baje jab sab log ajayenge tab change karega. Weise hi raha. Apna bag rakha, ek cigarrete jalaya aur aangan mein ek walk karne laga. Bus ke piche wale hisse par dekhne gaya ke saeed ne kia kaam kiya hai. aur uss jagah se kapde dhone wale hisse ko dekha, to usske samajh mein aya ke kal jiss jagah par Ruhi khadi apni maa se baat kar rahi thi uss jagah se Ruhi ussko dikhta agar uss waqt Abhi bus ke piche wale hisse par kaam kar raha hota... to Abhi ab charon taraf aangan ka moaena karne laga.. Dekhne laga ke kiss kiss jagah se kidhar behtar nazara hota hai Ruhi ke ghar, stairs, kitchen, kapde dhone wala place sab kidhar se best dikhta hai. Wo sab check kiya Abhi ne...

Abhi ne yaad kiya ke first din ko Ruhi ek baar uss jagah se guzri thi jab apni cousin ke ghar se nikal ke apne ghar tak gayi thi, jiss din bus ko tow karke jungle se yahan laaya gaya tha. Ab Abhi ko yaad aya ke uss din ko ussne pehli baar Ruhi ko dekha tha. Uss roz Ruhi ek grey churidar mein thi aur haath mein do books liya hua tha ussne. To Abhi ko yeh bhi yaad aya ke ussne Ruhi ke haath mein ek Sydney Sheldon wala novel dekha tha uss din ko... Aur ab Abhi samjha ke Ruhi read karti hai. khud Abhi ki taraah Ruhi ko kitabein padhna passand hai, wo apni cousin ke yahan se kitabein lene aayi thi, aur uss roz ghar ke samne wale door se andar gayi thi Ruhi haath mein kitabon ko liye.

To yeh sab yaad karte hue Abhi uss jagah par chal raha tha jahan se Ruhi guzri thi.. uss garden mein dekh raha tha jahan kal Ruhi gulaab tod rahi thi.., uss terrace ko dekh raha tha jahan Ruhi jhadu laga rahi thi, uss pathar ko dekh raha tha jahan usski maa kapde dho rahi thi.. Abhi ko uss aangan se pyar ho gaya jaise. Iss liye ke uss aangan ke har kone mein Ruhi bassi hui thi.

Abhi uss aagan ke chaaron awr dekh raha tha, ussko wo aangan sirf Ruhi ki yaad dila rahe the, Ruhi bassi hui thi wahan ke fiza mein, wahan ke hawa mein, wahan ke phoolon mein. Usski galiyon mein bhi sirf Ruhi bassi hui thi Abhi ke liye. Abhi chal kar main road par gaya. Road se seedha Ruhi ka ghar dikh raha tha, kitchen ki stairs dikh rahe the, Abhi ne socha ke yahan se bhi wo Ruhi ko dekh paega agar wo buss stair par ek baar khadi ho jaaye.. uss gali mein khada hokar Abhi Ruhi ko soch hi raha tha stair par dekhte hue ke jaise ek jaadu hua aur Ruhi nazar aayi stair par seedha main road par dekhte hue!!

Abhi ka dil zor se dhadka Ruhi ko dekh kar. Wo kal wali pale blue night gown mein thi, aur ussne Abhi ko dekh kar turant wapas andar ghuss gayi. To Abhi jaldi jaldi chal kar washroom ke taraf badha iss umeed se ke kitchen mein Ruhi ko dekh paega, wo wahin hogi kyunke uss ne abhi abhi ussko raaste par dekha..

Jab tak chalte hue Abhi washroom reach hua aur kitchen ke andar dekha to koyi bhi nahin tha. Abhi ko thoda ghussa aya. Sochne laga ke kyun chali gayi jab ussko pata hai ke main agaya hoon to?.... Phir Abhi sochne laga ke kia Ruhi sach mein stair par nikli thi ya yeh usska vehem tha? kia wo Ruhi ko itna soch raha tha ke wo usske khayaalon mein aayi thi assal mein wo Stairs par thi hi nahin? Abhi ne socha ke pyar ka aisa bhi assar ho sakta hai ke koyi yahan hai hi nahin phir bhi nazar arahi hai ussko? Wo kahin paagal to nahin hone laga tha? apna dimaaghi santulan khone to nahin laga tha Abhi pyar mei doob kar? Yehi sab soch raha tha Abhi.. 6.20 hue the, Abhi ne socha 45 mins se kum hai ab usske paas, kaash Ruhi kitchen mein aajaaye, wo pray karne laga ke God Ruhi ko kitchen mein bhej de jaldi se...

Phir achanak Abhi ne khud se kaha,

"are agar wo meri tarah books padhti hai to wo zaroor book padh rahi hogi, matlab kal shaam ko bhi nahin dikhi thi kyunke book padh rahi hogi.."

Abhi khud ek bookworm tha, ussko achi tarah se pata tha book padhne wale ek baar agar padhne baith jaaye to uthte nahin hai, wo nah kuch sunte hai, nah kissi ki awaaz nah koyi shor sharaaba, unke concentration sirf book par hota hai.. Aur phir Abhi ne socha kitna acha pair hoga donon ka, donon ke taste same hein padhne ki latt donon ko hein wo bhi English book padhne ki latt..

6.30 hua aur Abhi himmat haar chuka tha. har ek minat ussko ek ghanta lag raha tha, har ek lamha ek ghata.. ussko yakeen ho gaya ke Ruhi read kar rahi hogi to jab tak wo book ko khatam nahin karegi wo saamne aane wali nahin hai. Wo phir bhi duaein maangta gaya khuda se ke usski Ruhi ko ek baar kitchen mein bhej dein... aur Abhi ki Khuda se sunli..; duah qubool ho gayi; Ruhi kitchen mein aayi, uss night gown mein nahin balke ek two-piece mein, white blouse aur red skirt mein..

Ussko dekh ke Abhi ka dil achanak zor se dhadka, ek lamba saans liya Abhi ne aur dekha ke Ruhi ke haath mein ek cup tha jiss mein wo chai bhar rahi thi sar mez par jhuki hui thi, baal khule the aur weise hi jhuke hue gardan ke saath Ruhi ne ek halki Muskaan ke saath gardan ko left ki tarah mudhkar Abhi ko dekha. Abhi issi intezaar mein tha ke wo usske taraf dekhe taake wo uss se baat kar sake. Magar doorie 3 metre ke the to kaise baat karta, oonchi awaaz mein baat karna padta iss liye jiss waqt Ruhi ne usske taraf dekha to haath ke ishaare se bina awaaz ke jaise sound mute tha weise abhi ne ishaare se Good Morning kaha Ruhi ko. Ruhi muskuraayi aur weise hi honton ko "good morning" word pronounce karte hue ek khubsurat muskurahat se Ruhi ne bhi wish kiya Abhi ko, aur Ruhi wahin mez ke paas kitchen mein baith gayi chai sip karte hue. Abhi ko achcha laga ke apne kaam karne wale kapde mein change karne se pehle hi ruhi ne ussko ache kapdon mein dekha. Abhi ko pata tha ke wo handsome dikh raha tha aur chahta tha ke Ruhi par ek impression banaaye apni normal dress mein. Ruhi chai peete hue Abhi ke taraf hi dekh rahi thi.

Subha savere ka mausam tha, khamoshi chhaayi hui thi, fiza khubsurat tha, kuch parinde ki awaazein sunaayi de rahe the, ek chidya Ruhi ki kitchen ke upar baitha chun chun kar raha tha. Ziada tar log ab tak so rahe the, bahot kum log the main road par bhi iss waqt. Mehboob bhi abhi tak utha nahin tha aur nah hi Rahima dikh rahi thi halaan ke usski bhi kitchen ka darwaza khula hua tha. To Abhi ne Ruhi ke stairs par jaane ko socha. Socha ke ek do baat phusphussate hue hi kar lega usske saath. Sirf 3 metres ka faasla tey karna tha to Abhi ne kadam badhaya Ruhi ke kitchen ke taraf ussko dekhte hue...

Jaise Ruhi ne dekha ke Abhi usske taraf aa raha hai to jhat se uth kadhi hui aur haath ke ishaare se nah mein hillaya Abhi ko. Abhi ne kadam rok liya ussko dekhte hue.. Ruhi mudhkar kitchen mein apne piche dekha, phir wapas Abhi ko dekha, to Abhi ne Ruhi ke piche dekha yeh soch kar ke koyi usske piche se ussko dekh raha hoga, iss liye wo jahan tha wahin theher gaya, magar Ruhi ko dekhta raha. Ruhi uss pal khadi ho chuki thi aur baar baar apne piche dekh rahi thi jiss se eisa lag raha tha ke ya to koyi usske taraf ghar ke andar se kitchen mein araha tha ya to koyi ussko dekh raha tha..

Abhi ko bechaini hone laga, ussko Ruhi se kehna tha ke aaj shaam ko wo idhar hi present rahe jiss waqt wo wapas ghar jaane lage. Aur tabhi Rahima apni kitchen mein aayi aur Abhi ko hello kehkar ussko ek cup chai de diya kal subha ki tarah. Rahima apni nighty mein thi. Ek pink colour ki nighty pehni hui thi ussne. Abhi ko disturb feel hua ussko uss libaas mein dekh kar aur apne nazron ko jhuka liya uss ne. Magar Rahima seedha Abhi ke chehre mein dekh rahi thi muskuraate hue. Rahima ki kitchen ka darwaza thik uss washroom mein hi khulta tha, assal mein wo ek separate garage ki tarah tha aur kapde dhone ki ek pathar bhi tha uss washroom mein, washroom naam diya magar tha wo kapde dhone ki jagah jahan sab worker kaam ke baad khud ko wash karte the. matlab Abhi thik ek kadam kitchen ke darwaze ke paas hi tha, aur Ruhi ki kitchen 3 metres ki doorie par tha.. Rahima ne Abhi se kaha,

"Tum bahot savere aajate ho har roz, kitne baje ghar se nikalte ho? aur uthte kitne baje ho hmm?"

Abhi ko uss se baat hi nahin karna tha, wo to Ruhi ko dekh raha tha; phir bhi jawaab to dena tha Rahima ko, to Abhi ne bina Rahima ko dekhe, balke Ruhi ke taraf dekhte hue Rahima ko jawaab diya. Kaha ke ussko subha ko savere uthne ki aadat hai aur yahan ka kaam bahot bada hai iss liye jaldi chala aata hai.

Ab udhar se jab Ruhi ne abhi ko baat karte dekha to ussko pata chal gaya ke Rahima ki kitchen mein iss waqt sirf wohi ho sakti hai, to Ruhi ne Abhi ke taraf dekhte hue, apne chai ko khatam karke cup ko thoda zor se mez par patka aur wahan se uth kar andar chali gayi. Abhi ko saaf samajh mein agaya ke Ruhi naraaz ho gayi kyunke wo Rahima se baat kar raha tha. Abhi ne socha are kia baat ho gayi, Rahima malkin hai bus ki, usske yahan kaam karta hoon ussne mujhse baat ki to main kaise ussko reply nah karun?

Ab Abhi ko ghussa aane laga Ruhi ki naarazgi par, aur Abhi ne apne kapde change karne ko socha ab. Tab tak Ruhi wapas aayi, aur thik jab wo kitchen mein aayi to Abhi Rahima ko cup wapas kar raha tha aur kyunke Rahima nighty mein thi usskki nangi baazu dikha Ruhi ko Abhi ke haath se cup lete hue, ussko fir ghussa aya aur wo munh banaate hue phir wapas chali gayi. Iss baar Abhi ne Ruhi ko munh banaate hue dekha aur ab Abhi ko hanssi aayi usski naraazgi par.

Aur Abhi ne change karna shuru kiya tab tak Rahima ghar ke andar chali gayi aur Ruhi phir kitchen mein aayi, Abhi ne shirt utaar diya tha, aur Ruhi ko dekha to wapas shirt ko pehna aur Ruhi ke kitchen ke taraf badha magar phir Ruhi ne haath ke ishaare se ussko wapas jaane ko kaha.. Abhi phir ruka aur ab ussne ishaare se Ruhi ko kuch kaha jo Ruhi nahin samjhi to Ruhi ne apne honthon ko "KIA?" ke form banaate hue Abhi se pucha..

Tab Abhi ne Ruhi ko stairs par aane ka ishara kiya. Ruhi ne munh fula kar nah mein sar hillaya. Abhi ne zid kiya ke ya to wo stairs par aaye ya Abhi usski kitchen ke stairs par aega. Ruhi samajh gayi aur apne piche mudhkar dekha aur Abhi ko ishaare se apne piche ungli se ishara karte hue kuch kaha jo iss baar Abhi nahin samjha. Magar itna abhi samjha ke ishaare se Ruhi shayad kehna chahti hai ke koyi hai wahan par jo ussko dekh raha ya rahi hai..

Aur tab tak Tony agaya, 6.45 ho gaye the. Saeed nahin aya tha tab tak. Ruhi ne Tony ko dekha, Tony ne ussko hello kaha aur Ruhi ne apne sar ko jhukaate hue Tony hello kiya. Phir Abhi ne weise hi ishaare se Ruhi ko piche ke nal ke paas aane ko kaha, aur Ruhi ke okay kaha. To jaldi se Abhi gaya Ruhi ke ghar ke uss hisse par jahan washing stone tha. Wahan ek khidki bhi tha, jiss par Ruhi aayi aur khidki se abhi ko dekhte hue pucha,

"ofo kia keh rahe ho aap main kuch nahin samajh rahi!"

Abhi ne direct pucha,

"Tum kal shaam ko kahan thi jab main ghar wapas jaane laga tha?"

Ruhi ne muskuraate hue pucha,

"kyun? Main kahin bhi rahun aap ko kyun bataun?!"

Abhi ke samajh mein nahin aya ke ab kia kahen, ussne yeh reply to nahin expect kiya tha Ruhi se.

To Ruhi ne khud sawaal kiya,

"Aap abhi kiss se baatein kar rahe the?"

Abhi samajh gaya ke Ruhi Rahima ki baat kar rahi thi. To jawaab diya,

"Tumko to pata hai kiss se main baat kar raha tha to kyun puch rahi ho? Mujhe batao ke tum kal kyun nahin dikhi yaar!"

Ruhi: "wo har subha tumko chai deti hai?"

Abhi: "hmm kal bhi diya tha main savere aajata hoon nah?!"

Ruhi: "hmmm kal matlab jab main gulaab tod rahi thi aur aap ne mujhe good morning kaha tha tab?!"

Abhi: "oh yeh baat hai to tumne suna tha jab main ne tumko good morning kaha tha kal aur mujhse kaha ke kuch suna hi nahin tha tumne! Bad manners for not replying a greeting!"

Ruhi hanss padi aur kaha,

"wo main ghabra gayi thi nah, aap achanak saamne dikh gaye the subha subha to meri samajh mein nahin aya ke main kia karun, main darr gayi thi aap ko achanak dekh kar issi liye meri awaaz hi nahin nikli thi aap ko jawab dene ke liye!"

Abhi ne muskuraya aur pucha,

"ab to bata do ke kal tum kidhar thi shaam ko!"

Ruhi: "kal? Meri aankh lag gayi thi jab aap jaa rahe the."

Abhi: "shaam 5.30 ko tum so rahi thi? Main nahin maanta, tum andar se mujhko zaroor dekh rahi hogi nah? Tumne jaan bujh kar weisa kiya mujhko tadpaane ke liye hai nah bolo?!"

Ruhi ne apni kehuni ko windows ke kone par tikaate hue kaha,

"Main weisa kyun karungi bhala? Main to har shaam ko kitchen mein mummy ki help karti hoon.. wo kia hai ke main kitab padh rahi thi aur padhte padhte aankh lag gayi thi, thik aap logon ke jaane ke baad main kitchen mein gayi, tab baahar dekha to koyi bhi nahin tha aap log jaa chuke the!"

Abhi ne kaha,

"oh yeh baat hai to ek kaam karna aaj ke baad mere liye; karogi?!"

Ruhi ne muskuraate hue pucha,

"main kyun aap ke liye koyi kaam karungi?" aur hanss padi Ruhi.

Abhi ne phir bhi kaha,

"Please aaj se har shaam ko mere jaane ke waqt tum please mere saamne rehna, ya to stair par present rehna ya yahan iss khidki par rehna, main tumko har roz jaate hue dekhna chahta hoon, tumko bye wave karna chahta hoon, tumhari chehre ko dekhte hue jaana chahta hoon, itna karogi mere liye please?!"

To be continued.. (3850 words)
 

Update 9 Abhi Got Wounded

"Please aaj se har shaam ko mere jaane ke waqt tum please mere saamne rehna, ya to stair par present rehna ya yahan iss khidki par rehna, main tumko har roz jaate hue dekhna chahta hoon, tumko bye wave karna chahta hoon, tumhari chehre ko dekhte hue jaana chahta hoon, itna karogi mere liye please?!"

Ab aaguey..

Buss itna kaha Ruhi ko Abhi ne ke Saeed ji aate hue dikhaayi diye aur Ruhi ne kaha,

"Piche dekho, tumhara boss tumko dekh raha hai, ab jao ussko passand nahin jab tum kaam chorr kar mujhse baat karne aate ho!"

Abhi ne mudhkar dekha Saeed chalte hue washroom ke taraf badh raha tha, ussne Abhi ko ek bure nazar se dekha jaise sach mein ussko napassand tha ke wo Ruhi se baat kare aur Abhi ne ussko "hi Saeed bhai" kaha, to Saeed ne bhi "Hello" kehte hue aaguey badh gaya, usska chehra dekhne layak tha uss waqt. Aur Ruhi ne abhi se kaha,

"Dekha aap ne wo naakhush hai usske chehre se dikh raha hai!"

Abhi ne jawaab mein kaha,

"Tum usski fikar kyun kar rahi ho? Tum mera fikar karo nah. usska koyi haq nahin hai mujh par, mujhe kuch bhi karne se mana nahin kar sakta wo!"

Ruhi: "Tumhara boss hai nah, tum usske liye kaam karte ho to haq banta hai usska."

Abhi: "Tumko kiss ne bataya ke main usske liye kaam karta hoon? Main ne uss se sirf kaam seekha hai, abhi wo mera koyi boss voss nahin hai, garage mein mera boss tha yahan nahin, samjhi kia?!"

Ruhi: "Mujhe kia pata mummy ne to kaha ke tum usske niche kaam karte ho!"

Abhi: "ofo, kia hai yaar ab tumhari mummy ko kaise yeh sab batein pata hai? Chorro inn baton ko tum yeh batao ke tumko mera naamm kaise pata chala? Tumne jab kal mujhe "Abhi" bulaya tha tabhi main puchne wala tha magar bhool gaya!"

Ruhi: "Are yeh bhi koyi puchne ki baat hai kia? Sab log itne zor zor se aapko bulaate rehte hein ke Abhi yeh karo, Abhi wo karo, Abhi kidhar ho, Abhi yahan aao, Abhi issko uthao, Abhi;Abhi; Abhi; iss aangan mein, hamare aangan mein sirf Abhi ka naam hi sunaayi deta hai aaj kal; jaise Abhi ka naam liye bina kissi ka kaam hi nahin hota uss bus mein; to kaise mujhe pata nahin chalega wo Abhi aap ho?!"

Abhi hanssne laga Ruhi ne jiss adaa se wo sab kuch kaha tha.

Aut thik tabhi Saeed ji ne kaha,

"ABHI ajao shuru karte hein yaar!"

Wo sunkar donon Abhi aur Ruhi hanns pade aur Ruhi ne zor se hansste hue kaha,

"Dekha main ne kaha nah sirf Abhi ka naam sunaayi deta hai iss aangan mein ab jao aap ka boss bula rahe hein aap ko!"

Abhi ki hanssi nahin ruk rahe the, Ruhi bhi ussko weise hansste dekh kar hanssti jaa rahi thi Abhi ke chehre mein dekhte hue aur Abhi ne Ruhi se kaha,

"I love your smile and the way you laugh."

Aur Ruhi ne kaha;

"And I love your smile and your laughs, keep laughing always!"

Abhi ka dil garden garden ho gaya Ruhi ki baat sunkar aur kaha,

"Okay then chalta hoon shaam ko nazar aana zaroor okay?"

Ruhi ne haan mein sar hillaya aur aaj Ruhi ne Abhi ko wave kiya apni khubsurat kalaayi ko hillate hue phir kaha,

"wish you a very nice day"

Abhi jaane laga tha aur mudhkar kaha,

"Wish you the same Sweetheart!"

Sweetheart word kehkar Abhi wahaan se tez kadmon ke raftaar se nikla, aur Ruhi ne muskuraate hue sar khidki ke baahar nikal kar kaha,

"I am NOT your Sweetheart!" aur Ruhi hanssne lagi jab dekha ke Abhi bhaag gaya.. Ruhi wahin khadi rahi khidki ke paas kuch der aur usski aankhein bhar aaye, ekaat boondh aansso ke usske gaal par tapke jissko wo ponch hi rahi thi ke dekha usske saamne Abhi ussko dekh raha hai!

Abhi khada sab dekh raha tha, Ruhi ke aankhon ka bharna, aansoowon ka tapakna aur gaal par behna sab dekha Abhi ne.. Ruhi ne iss liye nahin dekha ke Abhi wapas aya tha kyunke uss pal ko wo aasmaan mein dekhte hue kuch soch rahi thi jiss waqt usske aankhen bhar aaye the.. Abhi ko dekhte hue Ruhi ne apne gaal saaf kiye aur Abhi ne ekdum serious hokar pucha,

"Kia hua? Ari hua kia? Tum abhi to hanss rahi to rone kyu lagi ahcaanak? Kia hua kia?

Ruhi ne buss negative mein sarr hillate hue kaha,

"It's ok kuch bhi nahin main aisi hi hoon kabhi bhi ro padti hoon, buss samajhlo ke yeh Khushi ke aansoo hein!"

Abhi ne heyraan hote hue pucha,

"kiss baat par royi tum? Last word to tum ne Khushi se mujhe kaha ke tum meri sweetheart nahin ho tab tumhare aankhen bharr aaye main ne sab dekha.. Kia sochne lagi thi tum mujhe reply karne ke baad? Kyun aasmaan mein dekh rahi thi? Batao nah kia baat hai!"

Ruhi ne Abhi ke chehre mein dekhte hue kaha,

"Meri bahot buri kismat hai, samajh lo ke main manhoos hoon, mujhko khushiyan raas nahin aati, iss liye rona agaya mujhe!"

Abhi ne kaha,

"Please aise mat rona mujhe dukh ho raha hai tumko rote dekh kar, aur yeh kitaabi baatein to mat hi karo mujhse ke buri kismat hai, manhoos ho, khushiyan raas nahin aati etc. bahot ziada novels padhti ho tum ussi ka assar hai aisi baatein !"

Saeed ji ki awaaz phir aayi,

"Are ABHI aao nah yaar kaam nahin karna kia aaj!!"

Ruhi phir hanss padi aur kaha,

"hahahaha, lo phir tumhara naam phukara jaa raha hai meri aangan mein ab jao tum ABHI SAHAB!!

Abhi ne hansste hue kaha,

"haan aise hi hansste rehna dekho kitni khubsurat dikh rahi ho hansste hue, keep laughing sweetheart, muuuuaaah!"

Tab tak iss baar sach mein Abhi jaa chuka tha aur dobara Ruhi ne sar khidki ke baahar nikal kar kaha,

"I AM NOT YOUR SWEETHEART ABHI"

Aur Ruhi badbadaayi,

"Kyun sweetheart keh rahe ho mujhe tum? Main nahin ban sakti tumhari sweetheart Abhi. Nahin ban sakti main!"

Ab aisa kyun kaha Ruhi ne? Buss jo bhi munh mein ata bol deti hai ya koyi baat thi aisa kehne ke liye? Abhi ke saamne nahin kaha usske peeth ke piche kaha, agar weisi koyi baat hai to uss se saaf kehdo nah?

***************************************************************************

Udhar Abhi aur team ne kaam start kar diye the. Abhi weld kar raha tha. Tony ussko help kar raha tha. Ab wahan ek aisa mauka aya jabke Abhi ko puraane chasis se pehle wale chipke hue lohe ko pighla kar giraana tha taake naye lohe ko us jagah par chipkaaye. Ek ghante tak weisa karte jaa raha tha. Ekaat baar ussne Ruhi ko chaaron taraf dekha magar wo dikh nahin rahi thi. Ab welding kar raha tha to welding mask hota hai nah, wo chehre ke saamne tha aur bahot concentration se kaam kar raha tha ke ussko dikha bhi nahin ke Ruhi usske bagal se guzar gayi kahin jaate hue. Usski maa bhi sath thi, Tony ne bhi nahin dekha unn donon ko jaate hue magar Saeed ne dekha.

Abhi khada, tha welding stick se ek purane chipke hue lohe ko pighla kar giraane ke liye, wo pighla hu loha niche girr rahe the, aur accidentally ek baar ek pighle hue lohe ka ball Abhi ke payr par girra, aur ussko pata hi nahin chala, aur jab pighla hua lohe se Abhi ki payr ki chamri mein jalan feel hua tab wo jaldi se apne payr par dekha, tab tak wo lohe ka pighla hua ball jo almost aag ka gola tha Abhi ke joote ke andar pighalte hue ghuss gaya Abhi ne dard ke maare haath se mask aur welding stick feinka aur chilla utha, aur jaldi se joota nikaalne ko baitha, jitna time ussne liya joota utaarne mein tab tak wo garam pighla hua loha jo aag ka gola tha usske payr ke chamri mein dhansste chala jar aha tha, Abhi chilla utha aur jab joota nikaal liya to socks mein ek hole ho chuka tha dhuan nikal raha tha aur wo pighla loha abhi ke payr ke gosht ko pighla raha tha, ek hole usske payr mein ho chuka tha tab tak Tony ne botal ka paani dala Abhi ke peyr par.. aur Abhi ne apne tang ko ek jhatka diya to wo garam Pighla hua loha ek taraf girra...

Abhi dard se tadap raha tha, uss haalat mein bhi wo sirf Ruhi ko hi yaad kar raha tha, usske dil ki ek ichcha thi ke Ruhi uss waqt usske paas aaye aur ussko dilaasha de.. Magar Ruhi to thi hi nahin wahan aur Abhi soch raha tha wo ghar ke andar hai. Abhi ke payr par ek chedh jaisa ho gaya tha aur laal mass ka tukda dikhne laga tha... Saeed bhai ne turant Abhi ko hospital jaane ko kaha kyunke injection lagwana bahot zaroori tha uss ghav ke liye, khoon beh rahe the aur Abhi ko uss jagah par bahot jalan feel ho rahi thi.. wo thik se chal bhi nahin paa raha tha..

To Mehboob ki wife, Rahima ne kaha,

"Dispensary hai yahin kuch door, main road par wahan lejao koyi Abhi ko, injection ho jaega."

Abhi, Ruhi ke ghar ke andar dekh raha tha ke kyun koyi nahin araha tha ussko dekhne, ussko ajeeb laga ke aisa haadsa ho gaya aur unn logon ko kuch bhi sunaayi nahin diya ab tak?

Wahan ke logon mein se jo log shaam ko sab kuch dekhne aate hein unn mein se ek aadmi aaj kaam par nahin gaya tha shukar hai ke wo ussi waqt aangan ke andar aa raha tha, aur ussko jab sab pata chala to kaha ke wo apne car lekar turant ata hai Abhi ko dispensary lejaane ke liye.

Aur Abhi ko dispensary lejaya gaya. Marham patti kiya gaya usske payr mein. Ek injection lagaya gaya kulhe mein aur 3 injection har roz aakar lagana tha.

Ab payr mein patti bandh gayi to joota pehnna namumkin tha to aate aate Abhi ne ek pair of chappal kharid kar pehna. Aur wapas kaam par aaya. Saeed ne ussko ghar wapas jaane ko kaha rest karne ko kaha. Agar kahin aur kaam kar raha hota Abhi to turant ghar chala jaata magar yahan to Ruhi thi to wo hargiz nahin jaana chahega nah..

Wapas aane ke baad Rahima ne ussko juice diya au ek cigarette jala kar Abhi baitha aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhne laga. Sochne laga ke kyun koyi bhi nazar nahin araha tha. Aur kuch der baad dada ji aya aur Abhi se pucha ke kaise yeh sab hua. Abhi ne socha agar dada ji ko pata chal gaya to Ruhi aur usski maa ko to pata zaroor chala hoga to kyun Ruhi ussko dekhne ko nahin aya Abhi yeh sochne laga.

Aur kaam start kiya Abhi ne baaki ke welding ko continue karte hue.. Phir lunch time hua, aur jab Abhi khana khane ja raha tha to main road se Ruhi aur usski maa ko aate hue dekha. Ruhi ne ek bahot khubsurat dress pehni hui thi aur pari jaisi dikh rahi thi. Behad khubsurat nazar arahi thi. Abhi wahin khada reh gaya ussko dekhte hue, aur apne payr ke dard ko bhool gaya. Sab log khaane chale gaye magar Abhi wait karta raha ke Ruhi usske karib aaye to wo ussko kuch to bole.. Ruhi ne jab Abhi ko khada dekha to muskuraane lagi aur sar niche jhuka liya. Wo aaguey chal rahi thi aur usski maa piche thi. Ruhi ke haath mein ek bag tha aur usski maa ke haath mein ek uss se bhi bada bag tha. kuch kharidne gaye the shayad Abhi ne socha. Aur jab Ruhi karib agayi to Abhi ne buss kaha,

"kamaal hai tum kab gayi ke mujhe pata hi nahin chala!"

Ruhi ne buss kaha,

"Aap kaam mein busy the jab main jaa rahi thi; yahin se guzri thi, khanssi bhi thi main aap ko agah karne ke liye magar aap ki welding machine shor kar rahi thi to shaayad aap ne suna hi nahin, to main kia karti?"

Tab tak usski maa ne ussko join karte hue kaha,

"ab chal bhi!"

To Ruhi ko jaana para.. Abhi ne aur kuch nahin kaha, ussne socha tha ke Ruhi ussko bina joota ke dekh kar heyraan hogi aur usske payr mein patti dekh kar sawaal karegi magar Ruhi ne kuch nahin pucha to Abhi sad hua aur khaane chala gaya.

Abhi ko Khushi hoti ke Ruhi usska care karta, aur dekhna chahta tha ke Ruhi ki expression kaisi hoti yeh jaan kar ke Abhi ko gehra choat laga hai aur injection karne gaya tha... khair khana khaate waqt Abhi yeh expect karne laga ke ab Ruhi ke dada se Ruhi aur usski maa ko pata chal jaega to baad mein jab baat karne ka mauka milega to Ruhi zaroor puchegi Abhi se uss baare mein.

Magar uss din ko Ruhi ne ek baar bhi nahin pucha Abhi se ke usske payr mein kia hua, kayi baar shaam tak Ruhi aur Abhi ke nazrein mile, ek baar to donon aap paas the jab shaam ko Ruhi apni terasse par apni cousin sister se baat kar rahi thi, abhi wahin tha bus ke paas bilkool aamne saamne aur Ruhi baat karte waqt baar baar Abhi ko dekh rahi thi , donon ke nazrein mil rahe the magar ek baar bhi Ruhi ne nahin pucha Abhi se ke kyun payr mein patti bandhi hui hai aur choat kaise lagi. Iss se Abhi bahot disappoint hua.

Aur aya time ghar wapas jaane ka tab Ruhi stairs par aayi to, usski maa bhi wahin thi, aur jab Abhi wapas jaane laha to wave to kiya Ruhi ko, Ruhi muskura rahi thi Abhi ko dekhte hue aur halaan ke Abhi chappal mein ghar wapas jaa raha tha, shoes nahin pehna tha phir bhi Ruhi ne kuch nahin pucha aur nah usski maa ne pucha ke kyun chappal mein ghar jaa raha hai..

Abhi niraash hokar wahan se ghar wapas gaya iss din ko.

Ghar aakar apne disappointment ko likha Diary mein Abhi ne. udaas tha, phir bhi dil mein Ruhi ke liye bahot sara pyar samaya hua tha aur AbHi ne socha ke ho sakta hai ke dada ji ne bataya hi nahin ho ke Abhi ke payr jal gaye the, magar usske payr mein patti to dekhe honge Ruhi aur usski maa ne bhi to kyun donon mein se kissi ne bhi nahin pucha ke kia hua usske payr mein.

Abhi ne phir bhi ignore kiya aur Ruhi ki approach aur usski Muskaan, aur nazron ko socha ke kitni pyar se har baar wo Abhi ko dekh rahi thi aaj din bhar. wo sab yaad karte hue Abhi sone gaya; iss umeed se ke kal din behtar hoga. Kal Ruhi uss se puchegi ke usske payr mein kia hua, kal Ruhi usska ziada khayal karegi, kal Ruhi ko bahut afsos hoga yeh jaan kar ke Abhi ko choat lagi hai kaam mein, kal jab injection karwane jaega to Ruhi shayad usske sath jaegi ya ussko jaate waqt dekhegi, aur Abhi khud Ruhi ko apne saath chalne ko kahega.. Yeh sab sochte, Ruhi ko dil mein bassa kar Abhi ko neendh agayi, ussko apne payr ka dard bhi mehsoos nahin hua itna khoya hua tha Ruhi ki yaad mein.

To be continued..(2652 words)
 
Back
Top