Hindi Sexy Story Kasam - Love is not Everything

sexstories

Administrator
Staff member

[color=rgb(255,]PROLOGUE[/color]

[color=rgb(128,]Pyar ka dusra naam Vishwas hai.Jab tak vishwas hai tab tak pyar hai.Jab hame apna khud ka pyar par vishwas hota hai tab na jaane kitna kasam khaa lete hai apne pyar ke bare me.Wafa ki kasam, saccha pyar ki kasam aur jindagi bhar saath rehne ka kasam akshar pyar karne wale jodi khaate hi hai.

Koi bewafa uss kasam ko adhura chhod deta hai to koi saccha aashiq uss kasam ko har haal me nibhaate hai.Lekin kabhi kabhi maahaul aisa ban jaata hai ki hame apne pyar ke khushi ke liye apne pyar ka kurbaani dena padta hai.Apne pyar ko diya hua kasam ko todna padta hai.Aise laachar ban jaate hai ki apne saamne hi apne pyar ko apne saamne hi dur jaate hue dekhna padta hai.Lekin ye bhi pyar ka hi ek roop hai.Apne pyar ki khushi ke liye apna pyar, apna kasam, apna khushi sab kuch tyag karna padta hai.

Kya khud ka kiya hua kasam na nibhaa paane se pyar wahi toot jaata hai?Kya jindagi me dusra mauka nahi milta?

Kuch aisa hi iss kahani me padhne ko milega.Pyar ho jaane ke baad insan me aane wale badlaaw, pyar ko sacche dil se nibhaana, haalaton ke aage majbur ho kar apna pyar, khushi aur kasam ka kurbaani dena.Aur uske baad jindagi ka ek naya mod.

This story is about love, romance, emotions, feelings, sacrifice and betrayal.[/color]
 

PROLOGUE

[color=rgb(128,]Pyar ka dusra naam Vishwas hai.Jab tak vishwas hai tab tak pyar hai.Jab hame apna khud ka pyar par vishwas hota hai tab na jaane kitna kasam khaa lete hai apne pyar ke bare me.Wafa ki kasam, saccha pyar ki kasam aur jindagi bhar saath rehne ka kasam akshar pyar karne wale jodi khaate hi hai.[/color]

Koi bewafa uss kasam ko adhura chhod deta hai to koi saccha aashiq uss kasam ko har haal me nibhaate hai.Lekin kabhi kabhi maahaul aisa ban jaata hai ki hame apne pyar ke khushi ke liye apne pyar ka kurbaani dena padta hai.Apne pyar ko diya hua kasam ko todna padta hai.Aise laachar ban jaate hai ki apne saamne hi apne pyar ko apne saamne hi dur jaate hue dekhna padta hai.Lekin ye bhi pyar ka hi ek roop hai.Apne pyar ki khushi ke liye apna pyar, apna kasam, apna khushi sab kuch tyag karna padta hai.

Kya khud ka kiya hua kasam na nibhaa paane se pyar wahi toot jaata hai?Kya jindagi me dusra mauka nahi milta?

Kuch aisa hi iss kahani me padhne ko milega.Pyar ho jaane ke baad insan me aane wale badlaaw, pyar ko sacche dil se nibhaana, haalaton ke aage majbur ho kar apna pyar, khushi aur kasam ka kurbaani dena.Aur uske baad jindagi ka ek naya mod.

[color=rgb(128,]This story is about love, romance, emotions, feelings, sacrifice and betrayal.[/color]
 

UPDATE 1

Ek Park me ek ladka bahut hi udaas baitha tha.Chehre se pata chal raha tha ki wo kitna niraash aur dukhi hai.Jaise uska sab kuch usse cheen gaya hai.Wo ladka kuch pal baad apne chehra ko jhuka kar apne dono haath ke bich rakh leta hai aur rone lagta hai.Dard itna bhara tha uske dil me ki wo saamne dekh nahi paa raha tha.Kuch der tak wo aise hi munh chupaa kar rota raha tabhi uske kandhe par ek haath ko usne mehsus kiya.

Uss haath ka sparsh paate hi uss Ladka ko pata chal gaya ki wo kiska haath hai.Abb Ladke me itna himmat nahi tha ki wo uss chehre ki taraf dekh sake.

Wo waise hi apne chehre ko haath se chupaata raha lekin abb usne rona band kar diya.

Ladka ka kuch reaction na milne ke baad pareshan ho kar piche khadi ladki ne kaha.

Ladki:- Abb mujh se bhi baat nahi karoge Atul?

Ladki ki aawaj me bhi dard tha.Ladki bhi ussi tarah udaas thi jaise Atul tha.

Atul ko uss Ladki ki dard bhari aawaj sun kar bahut bura lagta hai.Atul se uss ladki ka dukh dekha nahi jaa raha tha.Lekin wo abb majbur tha.Chaah kar bhi kuch nahi kar paa raha tha.

Abb Atul ke paas itna himmat nahi tha ki wo uss ladki ki aankh me aankh daal kar baat kar sake.Pehle hi wo bahut tut gaya tha.Abb uss ladki ki maujudgi usse aur bhi kamjor bana raha tha.

Ladki:- Meri galti to bataao.Aise ignore kyu kar rahe ho? Jo ho raha hai wo hamaara majburi hai aur shaayad kismat bhi.Ham kuch nahi kar sakte hai.

Fir se uss ladki ne udaas aawaj me kaha.

Abb Atul se bhi nahi raha gaya.Ladki ki dard bhari aawaj ne iss baar usse bolne par majbur kar hi diya.

Atul:- Sahi keh rahi ho tum.Mere kismat me shaayad tum nahi ho.Warna itna pyar ke baawjud hame alag hona nahi padta.

Atul ne abhi bhi apne chehre ko dono haatho ke bich hi rakha tha.

Kuch pal ke khaamoshi ke baad Atul ne kaha.

Atul:- Shaayad abb tum he jaana chaahiye.Bahut jald tumhaari shaadi hone wali hai.Jaake taiyaari karo.

Iss baar Atul ki aawaj me bahut dard tha.Ek aashiq ko apne hi pyar se khud se dur jaane ke liye kehna bahut mushkil hota hai.Pata nahi Atul kaise khud ko sambhaal paaya tha abhi tak.

Atul ka ye dard ss ladki ne bhi mehsus kiya.Uski aankho me bhi abb aansu aane laga.Rote hue wo boli.

Ladki:- Meri majburi hai ye shaadi karna.Mai apne Papa ke khilaaf nahi jaa sakti.Maine tumhaare bare me unse baat bhi kiya tha.Lekin tumhaare naam sun kar unhone ek dam se mana kar diya.Pata nahi kyu wo tumse itna nafrat karte hai.

Maine socha tha jitne bhi din baaki hai utne din tumhaare saath hansi khusi bitaaungi.Shaadi ho jaane ke baad aise vakt to kabhi waapas nahi aayega.Lekin tum abhi se mujhe jaane ke liye bol rahe ho.

Aankho me aansu aur aawaj me dard ke saath Ladki ne kaha.Bina dekhe hi Atul ne mehsus kiya ki wo ladki ro rahi hai.Atul se uski dard bhari aawaj suna nahi jaa raha tha.

Atul:- Ek na ek din hame alag ho hi jaana hai.To fir der karne se koi faaidaa nahi.Agar maine tumhaari baat maan kar baaki ke kuch pal tumhaare saath bitaa liya to fir se tumhe pane ki meri khwaahish fir jag jaayegi.Aur bicchadte vakt khud ko sambhaal paana mere liye bahut mushkil ho jaayega.Behtar hoga ham abhi se alag ho jaaye.Aadat pad jaayega.

Iss pyar ka koi future nahi hai.Ham dono ek dusre se jindagi bhar pyar karte rahenge aur ek dusre ki yaado me jinda rahenge hamesha ke liye.Lekin ham dono kabhi ek nahi ho paayenge.

Atul ne chehra ko uthaaye bina hi kaha.Aawaj me dard to tha hi lekin wo khud ko bebash mehsus kar raha tha aur abb wo kuch bhi nahi kar sakta tha.

Ladki:- To fir thik hai.Mai jaa rahi hu.Shaayad ye hamara aakhiri mulaakat hai.Lekin jaane se pehle ek baat jarur kahungi.Mere jaane ke baad khud ko sambhaal lena.Koi nashe ki aadat mat daal lena aur meri yaad me jindagi bhar kunwara mat rehna.Tum bhi koi acchi si ladki dhund kar shaadi kar lena.

Itna keh kar ladki chup ho gayi.Wo aage kuch nahi bol paa rahi thi.Fir himmat karke boli.

Ladki:- Accha abb mai chalti hu.

Itna keh kar ladki Atul ka jawaab sune bina hi waha se nikalne lagi.Wo waha se nikal paati Atul ne usse pehle hi keh diya.

Atul:- Ho sake to mujhe maaf kar dena.Mera Kasam adhura reh gaya.Jindagi bhar tumhaara saath na chhodne ka kasam khaaya tha.Lekin mai apna kasam nibha nahi paaya.Ham dono hi majbur hai.Haalat aur Pariwar ke inkaar ke saamne hamara kasam kamjor pad gaya.Hamara pyar haar gaya.

Ye kehne ke baad Atul ki aankh se bhi aansu nikal gaya.

Atul ka iss baat ka jawaab ladki nahi de paayi.Abb wo kuch bhi bol pane ki haalat me nahi thi.Iss baar wo Atul ko jawaab diye bina hi waha se chali gayi.

Achanak hi neend se Atul utth gaya.Usse samajh me nahi aa raha tha ki usne kaisa sapna dekha tha.Wo washroom me jaa kar jaldi se fresh ho kar aaya aur apne uss ajeeb sapne ke bare me sochne laga.

Atul:- Ye kaisa sapna aaya tha aaj raat me.Mujhe kisi si pyar ho gaya tha aur ham dono bicchad rahe thhe.

Itna keh kar Atul hasne laga.

Atul:- Pyar aur wo bhi mujhe.Impossible.Mai aise bakwas baato par bilkul bhi bharosha nahi karta.Love is time passing material.Aur mere paas aise faaltu vakt nahi hai waste karne ke liye.

Ye kehne ke baad Atul chup ho gaya.Wo fir apne sapne ke bare me sochne laga.

Atul:- Kya dekha tha wo sapne me abb thik se yaad bhi nahi aa raha hai.Haa yaad aaya.Koi buddha mujhse itna nafrat karta hai ki wo apni beti ki shaadi mujhse nahi karwana chaahta.Sapne me wo dikha kyu nahi.Agar mil gaya hota to pakka murder kar deta.

Atul ne hanste hue kaha.Usne jo murder ke bare me kaha tha majaak me khud se hi kaha tha.

Atul:- Ha.Ek aur baat yaad aaya.Mai kabhi aise bakwaas Kasam nahi khaata hu aur wo bhi pyar me.Agar khaa liya to har haal me nibhaata hu.Kabhi kisi haalat ko apne kasam se jitne nahi dunga.Agar maine kisi ladki se jindagi bhar saath rehne ki kasam diya to uss kasam ko har haal me nibhaaunga.Agar ladki ki parents ne mana kiya to usko bhaga kar le jaaunga.

Atul ne aatma vishwaas ke saath kaha.Wo abhi tak pyar aur pyar ki jaadu se anjaan tha.Usse ye tak pata nahi tha ki pyar naam ka rog lagne ke baad insaan me kitna badlaaw aata hai aur koi bhi insaan apne liye nahi apne pyar ke bare me sochta hai.Abhi to ye saari baato ko majaak ke roop me lekar hans raha tha lekin usse kya pata tha aane wala vakt me uska haal uska dekha hua sapna se bhi bura hone wala hai.

Atul:- Lekin mujhe uss ladki ki chehra kyu yaad nahi aa raha hai.Dekha hi nahi uski taraf to kaise yaad aayega.Abb to uska aawaj bhi bhul gaya.

Accha chance miss kar diya.Sapne me hi sahi aisi kaun si ladki hai jo mera dil chura sakti hai.Aur mai usse dil haar gaya.Accha chance tha uss ladki ka chehra dekhne ke liye lekin maine miss kar diya.

Kya fark padta hai.Ek sapna hi to tha.Aur aisi baatein sapne me hi possible hai ki mujhe kisi se pyar ho jaayega.Hakikat me bilkul bhi nahi.

Atul ne kuch iss tarah se kaha.Jaise usko khud par bahut garv hai ki usse kisi se pyar nahi hua hai aur naa hi kabhi hoga.

Itna kehne ke baad Atul ne ek baar ghadi me time dekha.Ghadi me time dekha.Subah 6:00 am baj raha tha.Abb wo sapno ki duniya se baahar nikal kar asli jindagi ke bare me sochne lagta hai.

Atul:- Abb ready hone ka time ho gaya hai.8:00 am se hai college lekin aaj 7:30 me pahuch jaaunga.First day me hi late nahi hona chaahta.

Iske baad Atul 10 minute me ready ho jaata hai aur niche naashta karne jaata hai.Usse pata tha ki aaj fir se usse apne Papa aur bade bhaiya ki sawaal ka saamna karna padega.Atul ne khud ko mentally prepare kar liya aur niche ki taraf chala gaya.
 

UPDATE 2

Niche pahunch kar Atul breakfast ke liye table par baith gaya.Waha usne dekha ki uske Papa aur bade bhaiya Gaurav bhi baithe hai.Dono hi Atul ko kabhi ghurte to kabhi kuch kehne ki koshish kar rahe the.Lekin keh nahi paa rahe the.

Atul bhi dono ke haalat se anjaan nahi tha.Wo jaanta tha uske Papa aur bhaiya baatein dhund rahe hai kehne ke liye.Atul ne bhi khud ko taiyaar kar liya tha unke sawaalo ka jawaab dene ke liye.

Jab 5 minute tak bhi dono kuch nahi bole tab Atul bhi bore hone laga.Kitchen me naashta taiyaar kar rahi Maa ko aawaj de kar usne kaha.

Atul:- Maa.Jaldi kijiye.Late ho raha hu.

Kitchen se Maa ne kaha.

A. Mom:- Bas laa rahi hu.Ready ho gaya hai.

Gaurav:- Bahut jaldi hai tujhe college jaane ki.

Na khus aawaj me Gaurav ne Kaha.

Atul:- College ka first day hai.Thoda jaldi pahunchna chaahta hu.

Full attitude ke saath Atul ne jawaab diya.

A. Dad:- Kitna mana kiya tha tujhe MBBS mat padh aur commerce padh ke family business ko sambhaal.Lekin tere sar me to Doctor banne ka bhut chadha hua hai.

Abb jaake Atul ke Papa ko kuch bolne ka mauka mila.Wo kisi tarah kuch bolne ka mauka dhund rahe the.

Wo Atul ke MBBS padhne ke decision se bahut naraaj the.

Gaurav:- Ye hamara baat kyu sunega.Abb to bada insaan ho gaya hai.Jo accha lagega wo hi karega.Dekh raha hu isse.Ghamand kuch jyada hi badh raha hai.

Gaurav ko bhi ek mauka mil gaya apni baat kehne ka.

Atul:- Bhai ek baat kahu.

Chehre me fiki si muskaan aur aawaj me halka gussa ke saath Atul ne kaha.

Gaurav:- Ha bol.

Atul:- Agar tune apna ye over react karna band nahi kiya to ek din buri tarah se mujh se peet jaayega.Tu apne kaam se matlab rakh.Mere life me pehli bhi bahut dakhal andaazi kar chukka hai.Aisa hi karta raha to tere liye bilkul accha nahi hoga.

Atul ne bhi apna frustration nikaalte hue kaha.Aaj pehli baar usne Gaurav se iss tarah se baat kiya tha.Gaurav ka hamesha uske life me dakhal dena usko bilkul bhi pasand nahi tha.Lekin aaj se pehle usne kabhi Gaurav ko iss tarah se jawaab nahi diya tha.Kabhi dene ka mauka bhi nahi tha.

Tab tak Atul ki Maa bhi naashta le kar waha pahunch gayi thi.

A. Mom:- Beta wo tera bada bhai hai.Iss tarah se tujhe baat nahi karna chaahiye.

Atul ki Maa ne Atul ko samjhaate hue kaha.

Atul kuch jawaab deta usse pehle hi Gaurav ne kaha.

Gaurav:- Dekh rahe hai Papa.Abb to iski jubaan bhi chalne lag gaya hai.Mere saath saath ye aap ko bhi keh raha hai ki hame iske bare me kuch sochna bhi nahi chaahiye.

Gaurav itna hi bol paaya tha ki Atul ne uski baat ko kaat kar kaha.

Atul:- Agar tera bakwaas yun hi chalta raha to mera jubaan hi nahi laat aur mukka bhi chalega.Wo baat sirf tujhe bola tha.Papa ko nahi.Papa ko hak hai mere bare me decision lene ka.Lekin tujhe bilkul bhi nahi hai.

Abb agar fir se kuch bola tune to pakka abhi acchi tarah se peet jaayega.

Itna keh kar Atul chup ho gaya.Wo Gaurav ko gusse se ghurne laga.

A. Dad:- Kitna badtameez ho gaya hai tu.2 saal ghar se baahar kya raha tu to bolne ki tarika bhi bhul gaya.Koi apne bade bhai se aise badtameezi se baat karte hai kya.

Atul ki baato se uske Papa ka gussa bhi bahut badh gaya tha.

Atul:- Papa.Maanta hu abhi badtameezi se baat kiya hai maine.Lekin majbur bhi issi ne kiya.Hadd hota hai sehne ka.Aaj tak sehta raha iska sabhi hokum lekin abb saha nahi jaata.

(Gaurav ko dekhte hue) Respect bhi mai ussi ko karta hu jo deserve karta hai.Ye to bilkul bhi nahi karta.Ye jarur mera bada bhai hai lekin kabhi isne mujhe apna chhota bhai nahi maana.Ye to jaante hi honge aap.Bachpan se hi mujh par apna hukum chalata raha aur agar iska kisi baat ko inkaar kar diya to maar bhi khaana padta tha.

Mai 11 aur 12 bhi hostel me reh kar padha hu to vajah ye hai.Iske saath rehne ka bilkul bhi man nahi tha.

Lekin abb aur dar kar nahi jeeyunga.Abb itna to yakin hai khud par ki jarurat padne par iska acche se dhulaayi kar sakta hu.

Mai aap ko aur Maa ko bahut respect karta hu.Maine aapka commerce padhne ki baat iss liye nahi maana kyu ki mujhe uss subject me utna interest nahi hai.Ek baar doctor banne ka sapna dekh liya to wohi banna chaahta hu.Bahut soch samajh kar maine ye faisla liya hai.

Itna keh kar Atul chup ho gaya.Usne sabhi ki taraf ek najar ghumaaya.Sabhi chup the.Kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe.

Atul:- Papa agar iss bare me baat karne lage to baat kabhi khatam nahi hoga.Bas itna kahunga ki ek din aap ko mera iss faisla par garv hoga.

Accha chalta hu abb mai.Late ho raha hai.

Itna keh kar Atul waha se utth gaya.

A. Mom:- Abhi to tune kuch khaaya bhi nahi.

Atul:- Abb late ho raha hai.Canteen me jaake khaa lunga.

A. Maa:- Thik hai.Pehla din hai tere college ka.Man laga ke padhna.All the best.

Atul ki Maa ki iss baat par Atul ke chehre me smile aa gaya.

Atul:- Thanks Maa.Acche se padhunga.

Itna keh kar Atul ghar se nikal gaya.Aur apni bike se college ki taraf chala gaya.

College me pahunch kar usne apne dost Ajay ko phone kiya.

Atul:- Kaha hai tu.

Ajay:- Canteen me.Tu kaha hai?

Atul:- Abhi parking me hu.Ruk 5 minute me pahunchta hu.

Itna keh kar Atul ne phone cut kar diya.Aur wo bhi canteen ki taraf chala gaya.

Canteen me pahunchte hi Atul ne dekha ki Ajay ek ladki ke saath baith kar coffee pee raha tha.

Wo man hi man soch kar dono ki taraf aage badhne laga.

Atul:- (In his mind) Ye Ajay ko bhi prem rog lag gaya hai.Isne phone me to bataya tha ki isko kisi se pyar ho gaya hai.Shaayad yahi hai wo ladki.Pata nahi aaj kal ye kya fashion chal raha hai.College me aaye nahi ki inhe pyar ho jaata hai.Pyar to ek fashion sa ho gaya hai.

Itna sochne ke baad wo dono ke paas pahunch gaya.Ajay ne Atul ko dekh liya.

Ajay:- Aa gaya tu.Baith yaha.(Apne paas ke seat dikhaate hue).Ye hai Anjali meri dost.(Ladki ki taraf ishaara karte hue).

Aur Anjali ye hai Atul.Mera best friend.

Anjali:- (Haath badhaate hue) Hi Atul.

Atul:- (Haath milaate hue) Hi.

Uske baad Ajay aur Anjali ke bich fir se baat suru hone lagta hai.Wo dono apne baat me itna vyast ho jaate hai ki dono lagh bhag bhul hi jaate hai ki waha Atul bhi hai.

Atul:- (In his mind) Waah re Ajay.Gf kya mil gaya tu to mujhe hi bhul gaya.Laga reh.

Atul apne man me baatein soch hi raha tha ki ek ladki Anjali ke paas aati hai aur kehti hai.

Ladki:- Tu yaha hai.Maine tujhe kitni jagah dhund liya.Lekin kahi nahi mili.Chal class me chalte hai.

Ladki ki aawaj sunte hi Atul ko laga ki ye aawaj kuch jaani pehchaani si hai.Jab usne ladki ko dekha to munh se apne aap hi ye baat nikal gaya.

Atul:- Nisha.

Atul ki munh se apne naam sunne ke baad Nisha ne bhi Atul ki taraf dekha.

Nisha:- Atul tum.

Dono hi ek dusre ko dekh kar hairan ho gaye.Dono ne socha hi nahi tha ki dono iss tarah se fir milenge.Dono hairaani se ek dusre ko dekhne lage.

[Note:- Friends abhi tak to jaisa xp me likha tha wohi post kar raha hu...Aage kuch changes bhi aa sakte hai...Koshish karunga kuch part ko skip karke present tak pahunchpahunchne ki aur kuch important part add bhi kar sakta hu...Plot aur theme wohi hai...Kuch mistakes ko improve karunga...Stay tuned.]
 

UPDATE 3

Kuch der aise hi dono ek dusre ko hairaani se dekhte rahe.Fir dono ne najar hata liya.Paas me hi baithe Ajay aur Anjali bhi dono ko aise dekh rahe the jaise dono ko kuch samajh nahi aa raha tha ki ho kya raha hai.

Ajay ne Anjali ko jaane ke liye ishaara kiya aur Anjali bhi Nisha ke saath waha se chali gayi.

Ajay:- Tu uss ladki ko dekh kar kyu itna hairaan ho gaya? Aisa lag raha tha ki tu usse pehle se hi jaanta hai.Lekin kab? Picchle 2 saal se to tu mere saath hi hostel me tha.Aur tu to kabhi hostel se baahar nikalta bhi nahi tha.Fir kaise?

Ajay ne thoda hairaani ke saath pucha.

Atul:-12 ke exam clear hone ke baad mila tha usse.Uss vakt tu apna ghar gaya tha.Mai bhi mood fresh karne ke liye ghumne gaya tha.

Ussi trip me Nisha mili.Bus me mere paas ke hi seat me baithi thi.

Ajay:- Lekin tum dono ko dekh kar to lagta hai ki bahut acchi jaan pehchaan hai.Aur iss tarah se milne ke baad dono hairaan ho gaye.

Atul:- Nahi kuch khaas jaan pehchaan nahi hai.Tu to mujhe jaanta hi hai.Kahi bhi kisi ke saath bhi baat karna suru kar deta hu.Thoda bahut usse baat cheet hua tha...Lekin wo baat karne me jyada interested nahi thi.Issi liye maine bhi jyada baat nahi kiya.

Aaj usse yaha college me dekha to thoda hairaan ho gaya tha.Aur aaj issi liye baat nahi kiya kyu ki wo mere saath baat karna hi nahi chaahti hai.

Dusri taraf Anjali aur Nisha bhi canteen se nikal kar class ki taraf jaa rahi thi.Raaste me hi Anjali ne Nisha se pucha.

Anjali:- Tu Atul ko dekh kar kyu itni hairaan ho gayi thi? Bachpan se jaanti hu tujhe tu kabhi kisi ladke se jyada baat nahi karti hai.To tu Atul ko kaise jaanti hai.Aur usko dekh kar itna kyu chaunki thi.

Nisha:- 12 ke exam ke baad mai apne Mama ghar jaa rahi thi.Aur ussi trip me Atul mila tha.

Anjali:- Uss tour me aisa kya hua jo wo abhi bhi tujhe yaad hai.Bus me safar karte vakt har passenger to yaad nahi rehte.Wo kuch special hai kya?

Anjali ne muskuraate hue pucha.Nisha ne bhi uske sawaal par bura sa munh bana kar kaha.

Nisha:- Special nahi bahut irritating type ka ladka hai.Apni bakwaas baato se bahut pakaya usne.Jab mai chup hui tab jaa kar wo chup hua warna saare raaste pakaata rehta.

Abhi bhi yahi soch kar hairaani ho raha hai ki uske jaisa careless ladka MBBS kaise padh raha hai.Mujhe yakin hai wo yaha bhi padhaai se jyada bakwaas karne aata hai.

Anjali:- Lekin mujhe to wo thik ulta lag raha tha.Wo hamaare saath 5 minute se baitha tha aur ek shabd bhi nahi bola tha.Bahut hi serious type ka ladka lag raha tha.

Aise hi baat karte karte Anjali aur Nisha dono class pahunch gaye.

Dusri taraf Atul Nisha ke bare me bataane ke baat ekdam se chup ho gaya.Wo kuch bol nahi raha tha aur naahi bolne ke mood me lag raha tha.

Ajay:- Kya hua yaar tujhe.Jab se aaya hai kuch pareshaan sa lag raha hai.

Atul ko bahut der se shaant aur kuch sochte dekh Ajay ne pucha.

Atul:- Thoda mood off hai yaar.

Atul itna keh kar class ki taraf jaane laga.

Ajay:- Samajh gaya jarur aaj fir se tera Papa aur Bhaiya ke saath kuch problem hua hai tere padhaai ko le kar.Aur koi vajah nahi hai tera mood off hone ka.

Ajay ne muskura kar kaha.Atul ke saath saalo se rehne ke baad itna to usse pata chal hi gaya tha ki Atul jaise hamesha khus rehne wala ladka ka mood choti choti baato se nahi bigadta.

Atul iss baat ka jawaab diye bina aage badhne laga.

Ajay:- Mujh se baat kar sakta hai iss topic me.Mood thik ho jaayega.

Ajay ki ye baat sunne ke baad Atul ne bhi socha ki akele ghut te rehne se koi faaidaa nahi.Agar Ajay ko bata dega to thoda halka mehsus karega.Itna sochne ke baad Atul waapas mood kar Ajay ke paas gaya.

Ajay:- Chal bata.Kya baat hua tha aaj?

Atul ne bhi subah ki kahani fir se suna diya Ajay ko.

Puri baat sunne ke baad Ajay ne kaha.

Ajay:- Tu Uncle ko acche se kyu nahi batata hai ki tu MBBS kyu padhna chaahta hai.Ek baar acche se bata de mujhe yakin hai wo maan jaayenge tera ye decision?

Atul:- Tujhe kya lagta hai maine unhe nahi bataya hai.Ek baar nahi bahut baar bataya hai.Jab se 12 complete hua hai tab se.Lekin wo mera baat sunna hi nahi chaahte hai.Wo chaahte hai mai commerce ki line me aage badhu taaki business ko aage badha saku.Lekin yaar mujhe uss line ke bare me kuch nahi aata aur interest bhi nahi hai.Agar unki baat maan kar padh liya to bhi kuch faaidaa nahi hai.Mera sapna tut jaayega aur kaam bhi acche se nahi kar paaunga.

Mai Papa ko galat nahi kahunga.Wo job hi soch rahe hai mere liye hi soch rahe hai.Ham middle class family se hai.Aur yaha tak pahunchne par Papa ka bahut mehnat hai.Wo hamesha se chaahte the ki paisa hamaare parivaar ke liye majburi na bane.Unka start kiya hua business kuch had tak successful raha hai aur paise ki koi kami nahi hai family me.Unhe lagta hai ki agar maine ye business continue kiya to aage hame bahut faaidaa hoga.

Mai iss business me chaah kar bhi unka help nahi kar sakta hu.Andar se hi iss kaam ke liye feeling nahi aa raha hai.Doctor banna mera bachhpan se hi ek sapna hai.Garib aur jaruratmand logo ka ilaaj karna, marte hue insaan ko nayi jindagi dena, samaaj sewa karna ye sab kaam karne se andar se hi ek shaanti milta hai.Aur iss profession me paise ki kami bhi nahi hota hai.Mai jo kuch bhi chaahta hu sab mil sakta hai iss profession se aur dil se kaam bhi kar sakunga.

Atul ne apne pareshaani aur feeling ek saath bata diya Ajay ko.

Ajay:- Baat to tera thik hai.Kuch din ruk.Uncle bhi teri baat samajh jaayenge.

Atul:- Agar wo raaste me na aaye tab na.(Gaurav ki taraf ishaara karte hue) Papa ko bhadkaane ki har koshish kar raha hai.Papa nahi bachpan se usse kya problem hai mujh se.Usne kabhi mujhe pasand kiya hi nahi.Bachpan se uska haath se maar khaana, bura bhala sunna sab kuch seh liya yaar.Abb nahi saha jaata.

Abb to itna taakat mere paas bhi hai ki usse lad saku.Abb aur nahi sahunga usko.Abb usko uski tarah se hi jawaab dunga.

Atul ne gusse ke saath kaha.Bachpan se abhi tak ka Gaurav ke liye gusse ki vajah se uska aankh laal ho gaya tha.

Ajay:- Are yaar.Tu to bahut gussa ho gaya.Control kar yaar.Aaj college ka pehla din hai.Itna gussa bhi thik nahi hai.Aaj hamaara life ka ek yaadgaar din hone wala hai.Aaj ke din ko acche se enjoy karna chaahiye.

Atul:- Hmm.Thik keh raha hai yaar.Lekin kya karu jab bhi uska yaad aata hai apne aap gussa aa hi jaata hai.

Uski vajah se hi mujh me bahut badlaaw aane laga hai.Pehle kabhi itna gussa nahi aata tha.Aaj uski vajah se hi Papa aur Maa ke saamne mai badtameez ban gaya.Warna Papa aur Maa ke saamne kabhi apna gussa iss tarah se nahi dikhaaya tha.

Kaha mai hamesha khus rehne wala aur dusro ko bhi khus karne wala Atul hua karta tha aur kaha abb aggressive aur badtameez Atul ban raha hu.Mujhe fir se pehle wala Atul banna hai.College life hansi khushi bitaana chaahta hu.Usko uski jagah dekhunga aur apne character aur padhaai me kabhi kami nahi aane dunga.

Atul ne ye baat iss tarah se kaha jaise usne ye bas socha nahi karne ka than liya hai.

Ajay:- That's my friend.Mujhe bhi mera pehle wala dost hi chaaiye.Tu apne lakshya ki taraf aage badh aur ye faaltu baato me time waste mat kar.

Atul ne bhi Ajay ki iss baat par halka muskura kar sar (head) ko haa me hilaa diya.Aur uske baad Atul washroom me jaakar chehra ko paani se acche se dhota hai aur fresh ho kar baahar aata hai.

Fir dono dost saath saath class ki taraf jaate hai college ke first day ka first class attend karne.
 

UPDATE 4

Class me jaane ke baad Atul aur Ajay ne dekha ki sabhi students class me pehle se maujud hai aur front rows me pehle hi sabhi students baith chuke the.

Atul:- College ke first day me hi last row me jaa kar baithna padega.Itni jaldi college aane ka bhi koi faaidaa nahi.

Atul ne thoda niraasha ke saath kaha.

Ajay:- Maine bhi socha nahi tha.Front rows pack ho jaayega.12th me to sabhi students last me baithte the.Lekin yaha ka haal to bahut alag hai.

Atul:- Waise bhi aaj first day hai.Jyada padhaai nahi hoga.Introduction me hi time beet jaayega.Kal se koshish karenge aage baithne ki.

Thodi der me class suru ho jaayega.Chal seat par jaa kar baith te hai.

Itna keh kar Atul ne Ajay ko dekha.Ajay ka dhyan Atul ki baat par nahi tha.Ajay ko Anjali ko dekhta paa kar Atul ne fir se kaha.

Atul:- Bhai agar ghurne ka kaam band ho gaya ho to chale.

Atul ne ye baat dheere se kaha taaki sirf Ajay hi uska baat sun sake.

Ajay:- Ok tu jaa kar apne seat par baith mai apne seat par jaata hu.

Ajay ne Anjali ke paas ke khaali seat ko dekh kar khus hote hue kaha.

Atul:- Nahi.Bilkul nahi.Tu mere saath hi baithega aaj.Pehle hi last me baithna pad raha hai aur akele to bilkul bhi nahi baithunga.

Ajay:- Please yaar samjhaa kar.

Ajay ne muskuraate hue kaha.

Atul:- Mai to sab samajh gaya hu.Lekin tu bhi ek baat samajh le padhaai ke vakt no love no romance.Sirf padhaai pe dhyaan de.

Ajay:- Issi liye keh raha hu ki mujhe Anjali ke paas hi baithna chaaihiye.Uske paas baitha to padhne ka mood bhi bana rahega.Aur agar tere paas baitha to din bhar mood off hoga.Padhaai me bilkul man nahi lagega.

Atul:- Abb agar tera bakwaas khatam ho gaya hai to baithne chal.

Atul Ajay ki koi bhi baat sunna nahi chaahta tha.Khaas kar Pyar se related koi baat.

Ajay:- Please yaar samjhaa kar.College ka first day hai.Bahut hi special din hai ham sabhi ke liye.Aur iss special din me Anjali ke saath baithne ka maja hi kuch aur hai.Saari jindagi yaad rahega.

Atul samajh gaya ki Ajay uski baat maanne ki mood me nahi hai.

Atul:- Tu maanega to nahi aur mera koshish bhi bekaar hai.All the best.Lekin kabhi kabhi padhaai bhi kar lena...Sirf ghurte mat rehna.

Itna keh kar Atul apni seat ki taraf jaane laga.Jaate hue wo soch raha tha.

Atul:- (In his mind) Abhi se pyar me paagal ho gaya hai.Khair jee le bhai apni jindagi.Mai to iss pyar naam ke rog se jitna dur hu utna hi behtar hai mere liye.

Itna keh kar Atul last ki seat me jaa kar baith gaya.Aur bag se ek book nikaal kar class start hone ka wait karne laga.

Wo book ke page palat kar dekh raha tha ki tabhi usse laga ki uske paas koi aa kar baitha hai.Usne mud kar dekha to Nisha thi.Atul ne fir apni dhyan book ki taraf kiya aur pucha.

Atul:- Gusse me lag rahi ho?

Nisha:- Class se kuch der ke liye baahar gayi thi.Aur jab waapas aayi tab dekha ki Anjali ke paas Ajay baitha hai.Ek baar mujhe pucha bhi nahi.

Nisha bahut gusse me thi...Atul thoda hanste hue bola.

Atul:- Ye to bas suruwat hai ye love birds ke karnaamo ka.Mera dost bhi kuch kam nahi hai.Pyar hone ke kuch din me hi apne dost ko bhul gaya.Pata nahi aage kya kya dekhna padega.

Nisha ne kuch jawaab nahi diya to Atul bhi apne book ki taraf wapas dhyan dene laga.

Kuch der baad.

Atul:- Mujhe to bilkul bhi yakin nahi tha ki tumse fir mulakaat hoga wo bhi iss tarah se.Khair tumhe fir se dekh kar accha laga.

Atul ne thoda khushi ke saath kaha aur apna haath aage badha diya.

Nisha:- Flirt kar rahe ho mujhse.

Nisha ne bura sa munh bana kar pucha.

Atul:- Bilkul nahi.Lekin tumhe aisa kyu laga ki mai tumse flirt kar raha hu.

Atul ne apna haath piche khinch liya aur serious ho kar kaha.

Nisha:- Tum ladke aise hi hote ho.Pehle thoda baat karte ho, aur ladki ne bhi agar thoda hans kar jawaab diya to sidha flirting karne lag jaate ho.

Nisha isse aage kuch kehti usse pehle Atul ne usse rok kar kaha.

Atul:- Baaki ladke ke bare me mai nahi jaanta.Lekin ye love aur flirt me mujhe bilkul bhi interest nahi hai.Yaha sirf padhne aaya hu aur baaki ke baato se mujhe koi lena dena nahi hai.

Nisha:- Sach mein.

Nisha ne kuch soch kar hanste hue pucha.Atul ki baat par usse bahut hansi aa raha tha.Atul ko Nisha ki hansi bilkul bhi pasand nahi aaya.

Atul:- Koi shak.

Nisha:- Fir wo bus me kya kar rahe the.Mujhe baat karne ka bilkul bhi interest nahi tha aur tum bakwaas hi karte jaa rahe the.

Atul:- Accha wo baat.Mujhe laga ki tum bore ho rahi thi to baatein kar raha tha.Lekin jab tum meri baato ko ignore karne lagi tab mai bhi chup ho gaya tha.

Mai apne bare me bas itna hi kahunga ki mai jyada baatein nahi karta hu.Sirf matlab ki baat hi karta hu aur apne kaam se matlab rakhta hu.Dosto ke saath saccha dosti nibhaata hu aur pyar mohobbat jaise faaltu baato me bilkul bhi time waste nahi karta hu...Ladkiyo se bhi bekaar baatein nahi karta...Flirting to bahut dur ki baat hai...Tumse to bilkul bhi nahi Abhi hame 5 saal saath me padhna hai.Dheere dheere samajh jaaogi mujhe.


Atul itna keh kar chup ho gaya.Ye kehte vakt uske chehre me ek muskaan tha.Apna taarif karna usse bahut accha lag raha tha.

Nisha:- Koi interest nahi hai mujhe kisi ko samajhne me.

Fir Atul ne Nisha ko puri tarah ignore kar diya...Aur apne book par concentrate karne laga...Waise bhi usse Nisha me kuch khaas interest bhi nahi tha...Aur usse bahas karne se accha padhaai me dhyan dene laga.

Nisha:- (In her mind) Pata nahi kyu yaha aa kar baith gayi.Abb aaj din bhar ye apni baato se pakata rahega.Itna bakwaas karta hai aur fir bhi kehta hai ki jarurat se jyada nahi bolta hai.Please god aaj iski bakwaas se bacha lena aage se iski seat me kabhi nahi baithungi.

Itna sochne ke baad Nisha bhi apne bag se book nikaal kar dekhne lagti hai.

Karib 5 minute ho gaya tha lekin dono me se kisi ne bhi kuch nahi kaha.Nisha ko thoda hairaani bhi ho raha tha ki achaanak hi Atul chup ho gaya.Nisha ne Atul ki taraf dekha.Atul Anatomy book ka first chapter dekh raha tha aur aisa lag raha tha ki wo seriously padh raha hai.

Nisha:- (In her mind) Pata nahi sach mein padh raha hai ya acting kar raha hai.Fir bhi accha hi hai.Iski pakaau baatein kaan me nahi pad raha hai.

Kuch der baad class start hota hai.First class Anatomy ka tha.Introduction complete hone ke baad thoda lecture chalta hai.Iss baar Nisha ne notice kiya ki Atul ne ek baar bhi uski taraf dhyan nahi diya.Wo padhaai me fully concentrate kar raha tha aur important baatein note kar raha tha.

Issi tarah Physiology aur Biochemistry ka class bhi complete ho jaata hai.Atul ka mushkil se hi 2 ya 3 baar najar Nisha par pada lekin wo bas kuch pal ke liye hi tha.Wo sirf apne padhaai pe focus kar raha tha.

Aur fir lunch break hua.Sabhi lunch ke liye canteen ki taraf chale jaate hai.Atul last ke ek kone me chala jaata hai aur naasta ke liye order kar deta hai.Nisha bhi ek jagah baith ke lunch karti hai aur na chaahte hue bhi uska najar Atul par baar baar jaa raha tha.Atul ko aise shaant aur sirf apne kaam se matlab rakhta hua dekh kar usse bahut hairaani ho raha tha.

Naashta karne ke baad Atul kuch students se baat karne lagta hai.Sabhi apna apna introduction de rahe the ek dusre ko.Aur iss baar jab Nisha fir Atul ko dekhti hai usse aur hairaani hua.Iss baar Atul hanste hue dosto se baat kar raha tha.Nisha ko Atul ka ye do alag alag roop bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha.Kabhi wo hans raha tha to kabhi ek dum se shaant.

Jab Atul ne naashta khatam kiya to Nisha ke paas se aise nikal gaya jaise wo Nisha ko pehchaanta hi nahi.

Canteen se Atul aur Nisha dono class me aa gaye.Class start hone me thoda time baaki tha aur dono ne fir se book nikaal kar padhne lage.

Fir kuch der baad class start ho gaya.Baaki ke class me bhi Atul waise hi shaant reh kar sirf study par hi focus karta raha.Mushkil se Nisha par najar pad bhi jaata to wo ignore kar ke fir se book ki taraf dekhne lagta.

Aur aise hi chhuti bhi ho gaya.Atul Ajay se kuch der baat kar ke bike se apne ghar ki taraf chala gaya.

Nisha bhi Anjali ke saath baat karte hue apni scooty par apni ghar ki taraf jaane lagi.Kuch der baad Anjali ka ghar aa gaya aur Nisha akeli reh gayi.

Wo baaki ke raaste me kuch baatein sochte hue apne ghar ki taraf jaane lagi.

Nisha:- (In her mind) Ohh god.Aaj class me kya kya padhaai hua kuch samajh me nahi aaya.Bilkul bhi concentrate nahi kar paayi.Ye sab uss Atul ki vajah se hua hai.Uske paagal pan ki vajah se concentrate hi nahi kar paayi.Kitna khadoos hai wo.Bahut attitude hai usme.Jo man me aaye wo hi karta hai.Kabhi bakwaas karke pakaata hai to kabhi aise shaant rehta hai jaise bolne bhi nahi jaanta.

Usse jitna dur rahungi utna hi accha hai.Uske saath rahi to mai bhi paagal ho jaaungi.God please usse mujhse dur hi rakhiye.

Itna keh kar Nisha apne man me dua maangne lagi.Lekin bechaari ko kya pata tha ki ghar pahunchte hi uska dua ka koi matlab nahi hai aur usse bahut jald ek bada jhatka lagne wala hai.
 

UPDATE 5

Nisha apne room me jaa kar pehle fresh hoti hai aur fir naasta kar ke wo aaj college me jo padhaai hua tha wo revision karne lagti hai..Padhaai me wo hamesha se intelligent thi issi liye usko revise karne me koi khaas mushkil nahi hua.

Revision karne ke baad wo khud se hi kehti hai.

Nisha:- Revision complete ho hi gaya.Koi khaas mushkil nahi hua revise karne me.Abb aage se sirf padhai ke baare me sochungi...Aur kuch nahi.

Itna kehne ke baad Nisha ko fir Atul ka yaad aaya.Aaj Atul ki vajah se wo apne padhaai se distracted ho gayi thi iss baat ko yaad kar ke usse Atul par fir gussa aane laga.

Nisha:- Aur uss Atul se dur hi rahungi.Pata nahi kyu aaj usko samajhne me aur observe karne me itna time waste kar diya.Aakhir usme aisi kya khaas baat hai jo mai usme itna interest le rahi hu.Kuch bhi to nahi hai usme.Ek dum khadoos hai aur boring bhi.

Fir uske bare me soch kar time waste kar rahi hu.Nahi aage se nahi sochungi.Waise bhi mujhe doctor banna hai.Aisi bakwaas baato me ulajh kar mujhe apna time waste nahi karna chaahiye.

Itna kehne ke baad Nisha fir apne books ki taraf dekhne lagi.Wo book me kal padhaai hone wali chapter ko issi vakt padhna chaahti thi aur pehle se hi prepare hona chaahti thi.

Kuch der padhne ke baad wo chhat me jaa kar fresh hone ka soch kar chhat me chali jaati hai.

Chhat me jaate hi usse guitar ki tune aur kisi ki gaaane ki aawaj aati hai.Tune aur gaane ki aawaj bahut surila tha aur Nisha bhi gaana kaun gaa raha hai ye dekhne ke liye aawaj ki taraf chali jaati hai.

Wo uss aawaj ko picha karte hue chhat ke kone me chali jaati hai.Wo dekhti hai ki dusre ghar ki chhat k eek kone me ek ladka guitar bajaate hue gaana gaa raha tha.Wo ladka ka peeth Nisha ki taraf tha issi vajah se Nisha uska chehra nahi dekh paati hai.

Lekin uss ladke ka hair style dekh kar Nisha samajh jaati hai ki wo ladka kaun hai aur uss ladka ka yaha hone ki vajah se hi usse ek tej jhatka salagta hai.Jisse dur rehne ka dua wo maang rahi thi abhi wo hi saamne tha.Shock me uski munh se aawaj nikalta hai.

Nisha:- Atul..

Nisha ki thodi tej aawaj se Atul bhi Nisha ki taraf mud jaata hai.Wo bi utna hi hairaan tha jitna Nisha thi.Usne bhi Nisha ko apne ghar ke saamne hone ka umeed nahi kiya tha.Wo bhi Nisha ki taraf aata hai.

Atul:- Tum yaha?

Nisha:- Yahi mai bhi puchna chaahti hu.Tum yaha kya kar rahe ho?

Pehli baar Atul ko apne ghar ke saamne dekh kar Nisha ko bahut hairaani ho raha tha.Atul ko iss vakt dekh kar wo samajhne ki koshish kar rahi thi ki Atul yaha iss vakt kya kar raha hai.

Atul:- Mai yaha kya kar raha hu? Mera ghar hai ye aur apne ghar me abhi guitar baja rha hu.

Atul ne Nisha ki sawaalo ka jawaab diya.Uske jawaab se hi pata chal raha tha ki usse Nisha ka sawaal bilkul bhi accha nahi laga.

Nisha:- Lekin tumhe pehle yaha to kabhi dekha hi nahi.

Nisha ne confusion me pucha.

Nisha ki iss baat se Atul samjha ki Nisha tabhi kya puch rahi thi.Atul ne bhi thoda mushkura kar jawaab diya.

Atul:- Kyu mai 2 din pehle hi yaha aaya hu.Pehle 2 saal tak hostel me rehta tha aur hamne yaha 1 saal pehle ye ghar kharida tha.

Atul ki iss jawaab se Nisha sab samajh gayi.Lekin Atul ka iss ghar ke hone se Nisha ko Atul par aur gussa aane laga.Wo apne man me sochne lagi.

Nisha:- (In her mind) Pehle hi iske Papa aur Bhaiya kam the kya jo ye bhi aa gaya.Pehle hi dono ne jeena mushkil kar diya hai chhoti chhoti issue par hangama macha ke.Ye bhi unn dono ki tarah hi khadus hai.

Nisha yahi soch rahi thi ki Atul ne kaha.

Atul:- Kya hua.Kuch soch rahi ho?

Nisha ko gehri soch me dekh Atul ne pucha.

Nisha:- Kuch nahi.

Nisha ki aawaj me thoda rukha pan aa gaya aur wo piche mud kar niche apne room ki taraf jaane lagi.

Atul ko Nisha ka aise behave karna bilkul bhi accha nahi laga lekin usne iss baat ko ignore kar diya.Wo chup hi raha aur Nisha ko jaate dekhne laga.

Gate me pahunchte hi Nisha achanak se mudi aur usne Atul se kaha.

Nisha:- Aur tum please ye guitar mat bajaana.Bahut disturb ho raha hai padhne me. Mai yahi baat kehne aayi thi chhat me lekin bekaar ki baato me ulajh gayi.

Itna keh kar Nisha chali gayi.Achanak se usse Atul par itna gussa aane laga ki Atul par apna gussa dikhaane ke liye usse jhuth ka sahara lena pada.

Nisha ke jaane ke baad Atul wahi hairaan khada raha.Wo apne man me sochne laga.

Atul:- (In his mind) Mai kitni dheemi aawaj me guitar baja raha tha aur gaana gaa raha tha lekin ye aawaj uski room tak kaise pahunch gayi.Aur mere saath aise kyu behave kar rahi hai jaise mai uska bahut bada dushman hu.Maine uska kuch bigaada bhi nahi.

Aur bahut attitude bhi hai iss ladki me.Pata nahi kya sochti hai khud ke bare me.Baat bhi aise kar rahi hai jaise ye dikhaa rahi hai ki wo mujhse baat karke mujh par koi ehsaan kar rahi hai.

Bhaad me jaaye wo aur uski jaisi ladki.Mujhe koi baat nahi karna aisi ladki se.Kal se isse baat hi nahi karunga.Thoda sa baat kya kar liya ye to sar par hi chadhne lag gayi.

Abb Atul ko bhi Nisha par gussa aane laga.Aur wo bhi apne room ki taraf chala gaya.

Udhar Nisha bhi apne room me pahunch gayi.

Nisha:- (To herself) Oh God. Aapse kaha tha ki usse mere saamne mat laana.Lekin wo to saamne wala ghar me hi rehta hai.Aur ye uss pariwar se hai jisse hamaara dushmani hai.Abb to ye college aur ghar kahi bhi picha nahi chhodega.Har vakt iska manhoos shakal dekhna padega aur pakau baatein sunna padega.

Kya karu kuch samjah me nahi aa raha hai.Kaise iss ladke se piccha chhudau.

Itna keh kar Nisha fir sochne lagti hai.

Nisha:- Ha yahi thik rahega.Usko puri tarah se ignore kar deti hu.Tab shaayad wo mujhse baat bhi nahi karega.Agar fir bhi baat karne ki koshish karega to sabke saamne daant dungi.Tab shaayad ye mujhse dur rahega.

Itna kehne ke baad Nisha ne tay kar liya ki wo yahi karegi.


Ek hi din ke mulaakat me Atul aur Nisha ka soch ek dusre ke liye itna badal gaya tha aur ek dusre ke dimaag me alag sa pehchaan bana liya tha dono ne.Ye to abhi suruwat tha.Dono hi iss baat se puri tarah se anjaan the ki dono ko abhi saath me aise alag alag paristhiti se gujarna hai jisse shaayad wo abhi yakin hi nahi kar paate.
 

UPDATE 6


Next Day at College

Atul agle din class start hone se aadha ghanta pehle hi college pahunch gaya.Ye aadha ghanta usne sabhi students se introduction me beeta diya.

Thodi der baad Nisha aur Anjali saath me class me aaye.Dono hi ek dusre se hanste hue aur baat karte hue aa rahe the.Atul ko dekh Nisha ki hansi gaayab ho gaya.Aur jab Atul ne bhi Nisha ko dekha tab wo bhi baat karna chhod Nisha ko dekhne laga.Usse bhi samajh me nahi aa raha tha kaise react karna chaahiye.Usne bas thoda sa smile kiya.

Jawaab me Nisha ne koi reaction nahi diya aur Anjali ke saath piche seat ki taraf chali gayi.

Atul ne bhi iss baat ko ignore kar diya aur fir apne naye bane hue dosto se baat karne laga.Itna to usse pata chal hi gaya tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur usne bhi abb soch liya ki wo bhi abb be vajah Nisha ke paas nahi jaayega.

Jab class start hone me 5 minute baaki tha tab Atul bhi piche seat ki taraf jaane laga.

Usne dekha ki front rows sabhi pack ho gaya tha.Bich me do seat khaali tha.Middle aur Left column me.Middle column me Nisha ke paas ek seat khaali tha aur left column me bhi ek seat khaali tha aur uss khaali seat ke paas ek ladki thi.

Nisha ne bhi Atul ko dono seat ki taraf dekhte hue dekh liya aur wo man hi man sochne lagi.

Nisha:- (In her mind) Oh no.Lagta hai fir ye mere hi paas aayega.Pata nahi kyu ye mera picha nahi chhod raha hai.

Nisha yahi sab soch rahi thi ki Atul bhi abb dono seat ki taraf aage badhne laga aur Nisha ke ummeed se thik ulta wo left column me chala gaya.Nisha ko iss baat se thoda hairaani aur khushi dono hua.

Atul aur Nisha abb alag alag column me the lekin dono ek hi row me the.Atul apne seat me baith kar apne paas wali ladki se kehta hai.

Atul:- Hello.I am Atul.

Ladki:- Hi.I am Kajal.

Itna keh kar Kajal apna haath Atul ki taraf badha deti hai.Atul bhi apna haath aage badha kar handshake karta hai.

Handshake karne ke baad Atul wapas sidha apni jagah baith jaata hai.Usse samajh me nahi aa raha tha ki abb usse kya bolna chaahiye.Hamesha ladkiyo se dur rehne ki vajah se usse Kajal se baat aage badhaane me mushkil ho raha tha.

Kajal:- Tum bahut shaant dikhte ho.

Kajal ki baat sun kar Atul fir Kajal ki taraf ghumta hai aur uski baat ka matlab samajhne ki koshish karta hai.Kajal fir se thoda smile ke saath kehti hai.

Kajal:- Tumhe kuch der pehle se notice kar rahi thi.Tum bahut kam bol rahe the aur sirf jarurat ke hisaab se hi bolte ho.

Kajal ki iss baat par Atul ne bhi thoda muskaan ke saath kaha.

Atul:- Thoda kam hi bolta hu.Ek do baar koshish kiya tha jyada bolne ki lekin kisi ko accha nahi laga.Tab ehsas hua ki over smart hona bhi thik nahi hai.Jaisa hu waisa hi thik hu.Bahut hi kam close friends ke saath khul kar baatein karta hu.

Atul ne muskura kar kaha.

Kajal:- Ha baat to sahi hai.Logo ko dikhaane ke liye jabardasti badlaaw laana bhi thik nahi hai.

Kajal ne itna hi kaha tha ki class me teacher aa gaye.

Uske baad dono ke bich baat cheet bhi band ho gaya.

Atul kal ki tarah aaj bhi pura dhyan laga kar padh raha tha aur important points note kar raha tha.Atul ko aisa karte hue Kajal notice kar rahi thi.Atul se thodi dur baithi Nisha bhi na chaahte hue bhi Atul ko notice kar rahi thi.

Issi tarah kuch der me class bhi khatam ho gaya.

Kajal:- Lagta hai padhne me bahut interest hai tumhaara.Puri class me ek baar bhi tumhara najar lecturer aur book se nahi hata.

Atul:- Ha padhna accha lagta hai.Aur study ke time me mind divert bhi nahi karta hu.Lekin itna bhi nahi padhta hu ki bas padhne me hi laga rahu.Vakt milte hi entertainment bhi karta hu.Jaise cricket khelna aur guitar bajaana.

Padhaai apni jagah aur baaki ke kaam apni jagah.

Kajal:- Sahi hai.Life me sab kuch jaruri hai.Kabhi kabhi kuch students ko dekh kar ajeeb bhi lagta hai.Hamesha padhaai me hi lage rehte hai.Padhna bahut accha baat hai lekin bas padhaai me hi busy reh kar dusre kaam ko bhul jaana.Ye thoda ajeeb lagta hai.

Atul:- Mujhe iss bare me jyada idea nahi hai to kuch nahi keh sakta hu.Shaayad unhe padhaai ke alawa baaki ke cheej me utna interest nahi hoga.BTW tum kya karti ho entertainment ke liye.

Kajal:- Movie dekhti hu, gaana sunti hu, drawing banati hu aur kabhi kabhi poem likhti hu.Mood fresh ho jaata hai.

Atul:- Creative mind hai tumhaara.Mujhe to drawing banana bahut mushkil lagta hai.11 aur 12 me bhi biology ka drawing bahut mushkil se bana paata tha.Aur poem likhna to dur koi essay bhi dhang se nahi likh paata hu.

Atul ne hanste hue kaha.Kajal bhi saath me thoda hansne lagi.

Atul:- Lekin poem sunna mujhe bahut pasand hai.Agar tumhe problem na ho to tumhaara poem sunna chaahunga.

Kajal:- Abhi thik se yaad nahi hai...Diary me likhti hu.Kisi din suna dungi.

Issi tarah Atul aur Kajal khali time me pure din baat kar rahe the.Dono dhire se hi baatein kar rahe the.Itna dhire se ki unn dono ke alawa aur koi sun nahi raha tha.Waise bhi class me baaki ke students aapas me baat kar rahe the aur unke aawaj ke saamne Atul aur Kajal ki baatein koi sun nahi sakte the.

Issi tarah pure din dono saath me baat karte rahe.Aur dono me dosti bhi badhne laga.

College chhuti hone ke baad sabhi students apne apne ghar ki taraf jaane lage.Nisha aaj khushi ke saath ghar jaa rahi thi aur apne man me soch rahi thi.

Nisha:- (In her mind) Aaj bahut acche se padh paayi.Accha hua jo wo Atul mere paas nahi baitha.Kaash wo hamesha mujhse dur hi rahe.Aaj wo Kajal ke paas jaa kar baitha.Bechari Kajal.Bahut jald usse pata chal jaayega ki ye Atul kitna pakaau ladka hai.

Itna soch kar Nisha apne ghar jaane lagi.



PRESENT

To Doctor saahab aapka bhi pyar nafrat se hi suru hua tha.

Atul ko bich me hi rok kar Shreya ne pucha.

Atul:- Nahi ye nafrat nahi tha.Bas thoda sa misunderstanding tha.

Thoda sa udaasi ke saath Atul ne kaha.

Shreya:- Abhi tak tumhaara kahani sun kar itna to pata chal gaya ki tum aaj bhi waise hi ho jaise pehle the.

Atul:- Nahi badlaaw to bahut aaya hai.Hamesha pyar par vishwaas nahi karne wala Atul ko kuch aise vakt se gujarna pada tha jaha usse apne pyar ke liye sabhi se bheek maangna pada tha.Kiske saamne maine haath nahi joda.Apne Papa ke saamne, Nisha ke saamne aur Nisha ke parents ke saamne.Lekin kisi ne meri ek nahi suna.

Hamesha jindagi ko hansi, majaak aur dosti ke saath jeene wala Atul aaj jindagi iss tarah se jee raha hai jaise uska jindagi ek shraap hai.Pata nahi kaise jee raha hu aur kyu jee raha hu aur ye bhi pata nahi iss jindagi ka kya makshad hai.

Jab bhi kisi ka ilaaj karta hu aur kisi ki taklif dur karta hu to uske chehre ki khushi dekh alag hi khushi milta hai.Bas yahi ek khushi reh gaya hai jindagi me.Nisha aur apne pariwar se dur hone ke baad to waise bhi mera jindagi me kuch baaki nahi hai.

Itna kehne ke baad Atul ki aankho me aansu ke kuch boond aa gaya.Ek baar fir usse khud me haara hua Atul dikhaai diya...Ek haara hua aashiq aur insaan...Kitna majbur tha wo aur hai.

Shreya:- Sambhaalo khud ko.Shaayad maine hi galat sawaal puch diya hai.Sorry.

Shreya ne Atul ke kandhe ko pakad kar kaha.Atul ko udaas to usne bahut baar dekha tha lekin rote hue aaj pehli baar dekha hai.Atul ko iss tarah se rote dekh Shreya andaaja laga rahi thi ki wo Nisha se kitna pyar karta hai.

Atul ne bhi jald hi khud ko sambhaal kar aur aansu pocchte hue kaha.

Atul:- 4 saal ho gaya hai Nisha se dur hue.Sambhalna seekh liya hai maine.Aaj achanak wo pal yaad aa gaye to aankho me thoda aansu aa gaya.

Shreya:- Aisa kya hua tha kit um aur Nisha alag ho gaye.Ye ek tarfa pyar tha ya fir Nisha ki bewafaayi ya fir koi aur vajah thi?

Shreya Atul ki puri kahani sunne ko utshuk thi.Wo ye bhi chaahti thi ki Atul apni saari kahaani bata de aur halka ho jaaye.Usne bahut dino se mehsus kiya tha ki Atul apne man me hi bahut saari baatein chupa kar ghutan ke saath jee raha hai.

Atul:- Nahi nahi.Nisha kaise bewafayi kar sakti hai...Wo mera pyar hai...Wo bhi mujhsemutna hi pyar karti thi jitna mai...Shayad mujhse bhi jyada.

Hamaara judaai bhi ussi daraawna sapna jaisa hi tha..Shayad sapne se bhi jyada daraawna...Sapna ko to majaak me udaa diya tha...Lekin hakikat...Hakikat ne aaj mera hmera hi jindagi ko majaak bana diya.

Shreya:- Tumne Nisha ke parents ko manaane ki koshish nahi kiya?

Atul:- Kiya tha.Bahut koshish kiya tha...Lekin jab mere hi Papa mere khilaaf ho gaye to mai bhi kya kar sakta tha.Dono hi pariwar me bahut jhagada ho gaya aur Nisha ke Papa bhi kaise apne beti ki shaadi aise ghar me kara sakte the.

Bas yahi mera pyar haar gaya.Apne bhai ki nafrat aur Papa ka Nisha ke ghar se dushmani.Bas yahi tha hamaare judaai ki vajah.

Ye kehte hue Atul ki chehre me fir dard ke bhaaw aa gaya.Iss baar uske chehre me thoda gussa bhi tha.

Shreya:- Bahut galat hua tumhaare saath.Jab apne hi saath chhod de to kya kar sakte hai.Waise Nisha abb kaha hai?

Shreya ko Atul ke liye bahut bura lag raha tha.

Atul:- Pata nahi.Jab uska shaadi Ravi se hone ki baat hua tab mai apne ghar chhod ke chala gaya.Aur jee nahi paa raha tha mai waha.Paagal sa ho gaya tha.Ek to mera aur Nisha ka rishta se sabhi ne inkaar kar diya aur upar se Nisha ka shaadi Ravi se tay hona.

Mujhse bilkul bhi bardaast nahi ho raha tha.Ravi hi ek aisa ladka tha hamaare class me jo mujhe bilkul pasand nahi tha.Hamesha sabko niche dikhaane ki koshish karta tha aur bahut baar hamaare bich ladaai bhi hua tha.

Aur jab Nisha ka shaadi ussi se tay hua tab mujh se aur bardaast nahi hua.Aur mai sab kuch chhod kar bhatakte hue yaha iss gaanw me aa gaya.Aakhir kaise mai ye sab dekh paata...Itna himmat nahi tha mere paas...Apni Nisha ko kisi aur ka hota dekh nahi paaya.

Abb to bas bhagwan se itna hi dua hai ki Nisha jaha bhi hai hamesha khus rahe.

Har aashiq ki khwahish...Atul muskurate hue bol gaya.
 

UPDATE 7

Shreya:- Kya tumne fir Nisha se kabhi contact nahi kiya?

Atul:- Abb utna himmat hi kaha hai mujhme? Kisi tarah jee raha hu yaadon ke sahare aur iss dua ke saath ki meri Nishu hamesha khus rahe.

Naa jindagi jee paa raha hu aur naa hi picche mud sakta hu...Bas kat rahi hai jindagi.

Shreya:- Suna tha pyar me bahut dard milta hai.Lekin aaj dikh bhi raha hai.Kaise seh lete ho itna dard?

Shreya bhi Atul ka dard mehsus kar rahi thi...Usse bhi bahut bura lag raha tha Atul ka dard dekh kar.

Jawaab me Atul ke hontho se ek mushkan hi nikla...Wo bhi dard bhari.

Shreya:- Kya hua?

Atul:- Tumne abhi jo kaha mai ussi baat ko majaak ke roop me leta tha 10 saal pehle.

Jab mujhe pyar me vishwaas nahi tha tab pyar ko bakwas manta tha.Kehta tha ki saare aashiq paagal hote hai jo pyar karte hai ye jaane ke baad bhi ki pyar ka dusra naam dard hai.Pata nahi ye pyar me aisa kya hai jo sabhi issi ke piche bhaagte hai aur apne jindagi barbaad karte hai.

Lekin pyar bhi na...Bahut ajeeb hai...Kisi ka bas nahi chalta...Kab kisse ho jaaye ye bhi pata nahi chalta...Aur jab hota hai to kabhi picche nahi chutta hai?

Kisi ka jindagi khubsurat ban jaati hai hamesha hamesha ke liye...Aur koi haara hua aahiq ban jaate hai meri tarah.

Lekin sabse jyada dard iss baat se ho raha hai ki mera pyar ke saath mera Kasam bhi adhura reh gaya...Apni Nishu ko diya hua kasam...Pyar ki Kasam...Saath jeene marne ki kasam...Pyar nibhaane ki kasam...Har wo kasam adhura reh gaya.

Abb Atul ki aankho se bhi aansu behne lage...Aaj wo Shreya ke saamne khud ko sambhal nahi paaya...Itna toota hua mehsus kar raha tha wo.

Atul ki baat sunne ke baad Shreya apne man me sochne lagi.

Shreya:- (In her mind) Ha ye baat to sach kaha tumne.Ham pyaar se jitna bhi bhaagne ka koshish kar le bhaag nahi sakte hai.Ek vakt tha jab mai bhi tumhaari tarah hi sochti thi ki mujhe bhi kisi se pyar nahi hoga.Aur khud se yahi jhut bolte bolte kab tumse pyar kar baithi pata hi nahi chala.

Nisha ki tarah mai bhi tumhe pehle khadus aur ghamandi hi sochti thi pehle...Aisa lagta tha ki tum me kuch jyada hi ghamand hai doctor hone ka.Issi liye kisi se kuch nahi bolte ho.

Lekin dhire dhire pata chala tumhaari khaamoshi me bhi ek udaasi hai aur uss udaasi ke piche ka dard aaj pata chala.Vakt ke saath saath tumhe pehchaane lagi.Tum bhale hi kam bolte ho lekin jisse bhi bolte ho acche se aur izzat se bolte ho.

Tum me wo sabhi character dikha jo ek doctor aur acche insaan me hona chaahiye.Sabhi logo se insaan ki tarah behave karna, jaruratmand aur garib logo ka muft me ilaaz karna.Aaj kal ke doctor MBBS karne ke baad hi itna attitude dikhaate hai ki khud ko bhagwaan hi samajhne lagte hai.Sabhi apne ghar aur gaanw ko bhul kar paise kamaane ke liye shehar chale jaate hai.

Lekin tumne MD padhne ke baad bhi iss gaanw ko hi chuna jisse tumhaara dur ka bhi koi rishta nahi hai.Bahut hi kam log hote hai aise jo paise ki jagah insaaniyat par bharosha rakhte hai.

Jindagi me itna bada dard milne ke baad bhi tumne apna dharm aur logo ka sewa karna nahi chhoda.Apne dard ko chupaa kar dusro ki khushiyon ke liye din raat logo ko ilaaj karte rahe.

Shaayad tumhaare yahi acchaayi hi wo vajah hai ki mujhe tumse pyar ho gaya.

Shreya apne man me yahi sab soch rahi thi ki Atul ne kaha.

Atul:- Abb raat bhi ho gaya hai.Shaayad tumhe apne ghar jaana chaahiye.Baaki ki baatein kal karenge.

Atul abb khud ko sambhaal nahi paa raha tha...Shreya dusri insan thi jisse Atul ne khul kar aaj bataana suru kiya...Warna iss dard ka raaj wo khud tak hi usne daba kar rakha tha.

Shreya ne ghadi me dekha to 7:30 pm ho raha tha.Usse jaane ka man to nahi tha lekin abb aur rukne ka koi vajah bhi nahi tha.Kal fir aane ki bol kar wo apne ghar ki taraf jaane lagi.

Atul :- Ek minute.

Shreya Atul ki taraf palti.

Atul:- Ye pyar kisi se mat karna...Bahut dard milta hai.

Atul ne apne aankho me aansu aur dard bhari aawaj se kaha.

Shreya ko bhi Atul ki haalat par bahut dukh ho raha tha...Dhang se wo kuch bolne ki haalat me bhi nahi thi.

Shreya:- Sab kuch thik ho jaayega.

Itna bol kar Shreya chali gayi.

Shreya ke jaane ke baad Atul ne apne purse se Nisha ka ek photo nikaala aur aayina(mirror) ke saamne chala gaya.Kabhi wo khud ko dekh raha tha to kabhi Nisha ki photo ko.

Atul:- 4 saal ho gaye yaar tumhe dekhe bina.Pata nahi abb kaisa dikhti ho tum.Ummeed karta hu pehle ki tarah hi aaj bhi tumhaara chehra muskuraata hua ho.Wohi muskuraata hua chehra aur pyari baaton ne hi to mera dil chura liya tha...Khubsurati me to tumhara koi mukabla hi nahi.

Kitna khubsurat pal tha wo mere jindagi ka.Aaj bhi jab wo pal yaad karta hu to dil me kuch pal ke liye hi sahi wohi sunkoon milta hai.Khud ko hamesha ek jhutha vishwaas dilaata hu ki ek din ham jarur ek honge.Jaanta hu khud ko dhokha de raha hu lekin kya karu kuch pal ke liye hi sahi thoda bahut khushi mil hi jaata hai.

(Khud ko dekh kar) Ye 5 saal me to mujhme kuch jyada badlaaw to aaya nahi hai.Daadhi(Beard) thoda badh gaya hai aur side se kuch baal (hair) pak gaye hai.Baaki pehle jaisa hi hu.Warna mujhme kuch badlaaw nahi aaya hai aur naahi mera pyar me...(With smile) Aaj bhi tumhara handsome Atul hi hu.

Tumhaare liye to kuch khaas nahi kar paaya.Yaa fir kismat ne aisa mauka hi nahi diya.Warna khwahishein to bahut tha...Abb to sirf tumhaari khushiyon ke liye dua hi maang sakta hu.Kuch dosto ke alawa tum, Maa aur Didi hi to hai jinhe mai apna maanta hu.

Abb jindagi se mujhe apno ki khushi ke alawa mujhe kuch nahi chaahiye.Tumhaare liye to mai kuch nahi kar paaya lekin koshish karunga Maa ke liye ek beta ki jimmedaari nibhaane ka.Ek didi ka bhai...Jisse wo sabse jyada pyar karti thi aur ek kaamyaab doctor banta dekhna chaahti thi...Apne Papa aur Bhaiya ka to shakal se hi nafrat ho gaya hai.

Pata nahi kitni baar jhuth bol chuka hu Maa se ki jald hi milne aaunga...Lekin ek baar bhi gaya hi nahi.Dar lagta hai wo shehar lautne me.Jaha mera jindagi hi mujhse cheen gaya...Jaha haar gaya mera pyar.
 

UPDATE 8

Dopahar me clinic aur shaam me Shreya se apne past ke bare me baat karne ke baad Atul ko abb thakaan mehsus hone laga.Raat ho gaya tha aur aaj usse dinner ka man bilkul bhi nahi tha.Wo sone ke liye bed par chala jaata hai.

Bahut koshish ke baawjud bhi usse aaj neend nahi aa raha tha.Baar baar aaj usse Nisha ki yaad aa raha tha.Nisha ki yaad to usse hamesha hi aata tha lekin aaj kuch jyada hi.

Meethi aur Dard bhari yaadein.Nisha ka wo khila hua chehra aur uske saath pyar bhari baatein karna Atul ke chehre par muskaan laa raha tha to bicchadte vakt Nisha ka dard bhara chehra dekh fir Atul ki aankho me aansu aa gaya.

Issi yaadon me ek baar fir wo apne puraane dino me kho gaya.




FLASHBACK


College me first week to sabhi students ko ek dusre ke saath introduction aur syllabus ko samajhne me hi khatam ho gaya.Iss bich Atul aur Nisha ka bhi laghbhag sabhi students se dosti ho gaya tha.

Dono ka ek dusre se duriyan badhte hi jaa raha tha.Nisha ne Atul se baat karna laghbhag band hi kar diya tha.Lekin na chaahte hue bhi uski najar kabhi kabhi Atul par chala jaata tha.Shaayad Atul ki behavior usse bahut ajeeb lag raha tha.

Dusri taraf Atul ne bhi Nisha ko ignore karna suru kar diya tha.Wo jaanta tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur wo bhi jaan bujh kar dusro ko pareshaan karna nahi chaahta tha.Aur dusri baat ye tha ki usse Nisha ka usko ignore karna accha nahi lag raha tha.Shaayad self respect ki vajah se usne bhi Nisha se duriya bana liya tha.

1 week me hi Atul aur Kajal ka dosti bahut gehri ho gayi.Dono ko ek dusre ke saath baat karne me accha lagta tha aur pehle hi week se dono saath me hi library me padhne jaate the.Khaali time me dono park me jaa kar time pass karte the.

Abhi 1 week hi hua tha issi liye sabhi students ko ek dusre ki acchaaiyon ke bare me hi pata tha...Lekin Atul ko ek ladka aur uska behavior bilkul bhi pasand nahi tha.Ravi.

Ravi ka sabhi se jarurat se jyada dosti karna, Baat karte vakt bhi dominant hone ki koshish karna aur dusro ki baato ko matlab na dena aur chhoti chhoti baato par gussa dikhaana Atul ko bilkul bhi pasand nahi tha.

Abhi Atul aur Ajay canteen me saath hi baith kar lunch kar rahe the.

Ajay:- Bhai.Maanta hu tujhe pyar par koi vishwaas nahi hai.Aur tu pyar kabhi nahi karega.Lekin yaar mujhe to chhod de.

Aaj Anjali ke saath baith kar lunch karne wala tha lekin tune uske paas jaane hi nahi diya.Yaha issi table me baith gaya aur mujhe bhi bitha diya.

Naya naya pyar aur usme bhi rukawat...Ajay ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Atul:- Accha to fir chala jaa.Mujhe kya pata tha ki tu Anjali ke paas baithna chaahta hai.

Atul ne muskura kar kaha.

Ajay:- Ye muskuraana band kar.Pehle hi gussa aa raha hai aur tu upar se aur gussa dilaa raha hai.Ye baat to tu bhi jaanta hai ki abb mai waha nahi jaa sakta aur tu muskura raha hai.

Ye ladkiyaan bhi na.Baaki ke khaali table inko nahi dikha jo Anjali ke paas hi jaa kar baith gayi.

Anjali ke table me ladkiyo ka group dekh Ajay ka gussa aur badh gaya.

Atul Ajay ka ye roop dekh kar muskura raha tha.

Ajay:- Kamine tu mera life me khushi dekhna hi nahi chaahta hai.Abhi pyar ka izahaar kiya nahi hai ki pehle hi tu hame alag karne ki koshish kar raha hai.

Kitna accha mauka tha.Anjali akeli baithi thi aur koi paas me bhi nahi tha.Acche se baatein kar sakta tha usse.Lekin tune mujhe yaha bitha diya aur 2 minute nahi hua ki ek saath 4 ladkiya uske paas chali gayi.

Ajay Atul ko khaa jaane wali najro se dekh raha tha.

Atul:- Pyar jaisi cheej hamaare laayak nahi hai.

Atul abhi bhi muskura raha tha.

Ajay:- Kya ham jaise ladko ke liye nahi hai? Tu nahi maanta pyar ko.Mai to manta hu.Aaj to tere saath yaha ruk gaya lekin aage se ye sab nahi hoga.

Atul:- Pyar kiya to nahi hai .Lekin suna hai ki pyar me patience ki bahut jarurat hota hai.Sacche pyar karne wale log to kabhi kabhi apne pyar ka intejaar jindagi bhar karte hai.Aur ek tu hai jo kuch pal ka intejaar bhi nahi kar paa raha hai.

Atul ne iss baar chidhaate hue kaha.

Ajay:- Bahut hansi aa raha hai na tujhe.Kaash tujhe bhi kisi ladki se pyar ho jaaye aur tera jindagi uske intejaar me hi beet jaaye.Tab pata chalega tujhe intejaar karna utna bhi aasan nahi hai jitna ye bakwas gyan dene me hai.

Ajay ne to ye baat gusse me keh diya tha.Lekin iss baat se dono hi anjaan the ki Ajay ka gusse me kaha gaya ye baat Atul ke liye sach ho jaayega.

Atul kuch jawaab deta usse pehle Ravi dono ke paas aa gaya aur chair par baith gaya.

Ravi:- Hi guys.I am Ravi.

Itna keh kar Ravi haath aage badha kar Atul aur Ajay se handshake karta hai.

Atul:- Nice to meet you.I am Atul and he is my best friend Ajay.

Ravi:- Ek baat puchna tha tumse.

Ravi ki baato me alag tarah ka attitude tha.Atul ko uski baat karne ka tarika aur attitude to bilkul bhi pasand nahi aa raha tha lekin wo abhi aisa dikha nahi raha tha.

Atul:- Puccho.

Ravi:- Kya tum full scholarship me padh rahe ho yaha?

Atul:- Ha.

Atul chhota sa hi jawaab de raha tha Ravi ko...Usse intejaar tha Ravi ke jaane ki.

Ravi:- Entrance me kitna marks tha tumhaara.

Fir Atul Ravi ko apna marks bata deta hai.Jawaab me Ravi muskura kar kehta hai.

Ravi:- Thik mera barabar.Socha tha ki college top karunga.Jitne bhi full scholarship wale the sabse jyada mera hi marks tha.Aaj pata chala mera barabar ka bhi koi hai.

Khair.Jo bhi ho.Top to mai hi karunga.Beware of me Mr. Atul. You will get tough competition from me.

Ravi ki baato me ghamand bhara hua tha.Abb Atul se bhi raha nahi gaya.

Atul:- I am beyond competition...Mujhe kisi se competition ka shaukh nahi hai.

Ravi:- Kyu? Itni jaldi dar gaya?

Atul:- Darta to mai khud se bhi nahi hu.

Atul ne bahut shaan se kahi ye baat.

Ajay:- Waah yaar...Kya baat kaha hai.

Fir Atul aur Ajay dono Ravi par hasne lage.

Ravi:- (To Ajay) Tu to iska (Atul) chamcha hai na...Tujhe kis baat ki hansi aa raha hai? Aukaat kya hai tera?

Ajay:- Jis shabd ko tu chamcha keh raha hai usse dosti kehte hai.

Shayad tu mujhe nahi jaanta...Ek baar pata kar le...Aur aukaat he hai ki tujh jaise 10-15 ko apna chamcha bana lu.

Ajay Ravi ki taraf badh hi raha tha ki Atul ne usse naa me ishaara kiya.

Atul:- Dekh yaar...Naa hi mujhe tujh jaiso se matlab hai naa hi tere competition me...Pehla baar tha iss liye kuch nahi keh raha hu...Warna agli baar Ajay ko nahi rokunga.

Fir samajh lena...Kisse panga le raha hai tu.

Ravi:- Mujhe bhi tum jaiso se matlab nahi tha...Mai to ye bolne aaya tha college ka topper abb mai hu.

Atul:- Kitni chhoti soch hai tera...Marks ke liye padh raha hai.

Ek free ka suggestion deta hu...Khud ke liye padh...Knowledge ke liye...Marks me kya rakha hai...Waise bhi medical me knowledge aur skill jaruri hai marks se.

Tera competitor sirf mai nahi hu...Sabhi students hai...Entrance me ek do marks to kisi ka bhi kam aa jaata hai...Aur yaha marks ussi ka jyada aata hai jo jyada mehnat karta hai.

Ravi:- Lets see...Mujhe viswaas jai khud par...Sabse jyada knowledge aur marks mere paas hi hoga.

Itna keh kar Ravi waha se chala gaya.

Ajay:- Pehli baar tera koi baat accha laga.Accha jawaab diya tune uss kamine ko.Kitna ghamand hai isme.Pata nahi khud ko kya sochta hai...Aur mujhe kyu roka tune...Do chaar daant tod deta saale ki.

Abb Ajay ka gussa Ravi ki taraf mud gaya.

Atul:- Iski baat hi mat kar.Iska to shakal dekh kar hi gussa aane lagta hai.Karne de jitna bhi ghamand karta hai...Dekhna jald hi iska ghamand tutne wala hai.

Atul itna keh kar chup ho jaata hai.Kuch der baad Kajal bhi aati hai aur Atul ko hi keh kar ladkiyo ke group me chali jaati hai.

Waha ladkiyo ke group me Kajal ke aa jaane se 5 ladki ho jaati hai.Kajal, Nisha, Anjali aur baaki ki 2 ladki.

Ladki 1:- Kya baat hai Kajal? Aaj to tu Atul se koi baat kiye bina hi aa gayi?

Kajal:- Pehle hi bahut time loss ho gaya hai.Lunch ka time khatam ho raha tha to yaha aa gayi.Baatein to baad me bhi hoti rahegi.

Itna keh kar Kajal apne tiffin box nikaal kar apne dost ke saath lunch karne lagti hai.

Ladki 2:- Ha baat to teri hoti rahegi.Aur wo bhi non stop.Ek tu hi hai jisse Atul itna baat karta hai.Baaki ladkiyo se to sirf kaam ki baatein.

Ladki 2 ne kuch udaas ho kar kaha.Aur jis tarah se usne kaha tha wo sunke Nisha ko bahut gussa aa raha tha.Atul ki taarif se usse chhidh hone lagi thi.

Ladki 1:- Kajal.Tera aur Atul ka pehle se hi jaan pehchaan hai kya?

Kajal:- Nahi.Kyu?

Ladki 1 :- 1 week me hi tum dono itne close ho gaye aur tum dono ko pyar bhi ho gaya.Yakin nahi aa raha hai itni jaldi ye sab kaise ho sakta hai.

Ladki 1 ne itna hi kaha tha ki Kajal ke gardan me hi khana atak gaya.Aur usse jor se cheenkhne lagi.Paani pee kar normal hone ke baad thoda gussa se wo kehti hai.

Kajal:- Kisne keh diya tujhe ki ham pyar karte hai?

Ladki 2:- To tu Atul se pyar nahi karti?

Kajal:- Nahi ham dost hai.Best friend.Lekin tum dono ko aisa kyu lag raha hai ki mai Atul se pyar karti hu ya wo mujh se.

Ladki 1:- Tum dono ka dosti kuch jyada hi gehri hai.Iss liye laga ki shaayad tum dono ek dusre se pyar karte ho.

Kajal:- Bahut chota soch hai tum dono ka.Dosti ko pyar ka naam de rahi ho.Atul accha ladka hai aur saath me intelligent bhi.Uske saath baat karna accha lagta hai.Padhne me bhi bahut help karta hai...Dosto se acche se behave karta hai...Aur bhi kayi khaasiyat hai Atul ka.Ham dono me understanding bhi accha hai...Issi liye best friends hai.

Agar sach kahu to sabhi students me Atul hi mera best friend hai.Issi liye mai usse jyada baatein karti hu aur time spend karti hu.

Abb agar tum dono sochte ho ki ek ladka aur ladki me gehri friendship ka matlab pyar hai to mai kuch nahi keh sakti iss bare me.

Nisha:- Ha.Atul pyar karne laayak bhi nahi hai.

Achanak hi Nisha ke munh se ye baat nikla.

Kajal:- Aisa kyu lagta hai tumhe?

Nisha:- Mujhe to wo ek number ka ghamandi lagta hai.Baat karne ka tameez hi nahi hai usme.Aur kehta hai ki wo kabhi kisi ladki se pyar nahi karega.Jaise ladkiyan uske picche padi ho.

Abhi bhi Nisha ki baaton me Atul ke liye chhidh tha.

Kajal Nisha ki baato ka jawaab muskura kar deti hai.

Kajal:- Bilkul galat soch rahi ho tum uske bare me.Ek baar acche se baat kar ke dekho Atul se.Jaan jaaogi kaisa hai Atul.

Anjali:- Mujhe bhi Atul accha lagta hai.Ajay bhi uska bahut taarif karta hai...Maine bhi dekha hai Atul bahut hi simple rehta hai.Sabhi se acche se baat karta hai.Aage ki character to baad me pata chalta rahega.Lekin abhi tak jitna bhi pata chala hai usse lagta hai ki Atul bahut hi accha aur sharif ladka hai.

Nisha:- Tu chup kar.Ajay jo bhi kehta hai uss par aankh band karke vishwas kar leti hai.

Nisha ne itna hi kaha tha ki ladki 1 serious ho kar kehti hai.

Ladki 1:- Kajal agar tu Atul se pyar nahi karti hai to koi baat nahi.Lekin agar karti hai aur tu apne feelings ko samajh nahi paa rahi hai to ek baar acche se soch le.

College me kuch ladki bahut impressed hai Atul se.Agar der kiya to Atul tere haath se nikal jaayega.Pyar ke ehsas ko vakt rehte hi pehchaan le.Kahi der na ho jaaye.
 
Back
Top