sexstories

Administrator
Staff member
Thandi raat ke andhere mein jab koi sadak par ghumta hai to use sirf thandi hawa aur khud ke kadam hi mehsus hote hai. Na aage koi hota hai aur na hi piche sirf aap aur apki chalti garam sansein hoti hai. Aisi hi ek thandi raat jahan na sadak par koi tha aur na hi kisi ghar se roshni aa rahi thi, na koi insan aur na hi janwar sab is thand ke dar se chipe hue the, par koi tha jo is sard hawa ke sath apni manzil ki aaur badh raha tha.

Sayen-sayen karti sard hawa khamoshi mein khalal dalne lagi. Hawa apni awaz mein ek taraf badne lagi jaise kisi taraf khinchi ja rahi ho, jaise kisi khas maksad ke liye uska janam hua ho.

Hawa ka rukh akar ek aisi khamosh jagah pahunchi jahan zindagi bhi khamosh ho jati hai. Kabristan jo aisi jagah hoti hai jahan shanti itni jada hoti hai ki insan vahan biche kabron mein se bhi awaz khojne lagta hai. Us andhere aur khamoshi bhare vata-varan mein hawa ne akar apna dum tod diya, shayad vo apni sahi jagah pahunch gayi thi.

Kabristan par na to koi roshni thi aur na hi andhere mein koi bhi aisa jo ye dekh sake ki ane valla pal ek aise ghatak pal ko janam dene vala hai jiski kalpana karke hi insan ki ruh uska sharir chhod de. Vo pal jisme abhi sirf khamoshi thi ki eka ek us shor ne vahan ki khamoshi ko tod dia.

Ek kabar ke andar se ek hath uski parat ko cheerta hua bahar aa nikla. Bahar nikal kar usne apni ungliyu ko ache se khol-band kiya aur ungliyun se mitti jhad kar niche girne lagi. Jo hath kabar se bahar nikla tha use dekh kar bilkul aisa nahi lag raha tha ki vo kisi mare hue insan ka hai kyun ki us hath mein utna hi mans tha jitna ek jite hue insan ka hota hai, par jo baat sabse jada hairan kar dene vali thi vo ye ki vo hath ek chote bache ka tha. Ek aisa bacha jo shayad dubara jina chahta tha, ya phir kudrat ek baar phir shaitan ke aage kamjor padh gaya tha....

Eka-ek kabar ki puri parat mein darar padne lagi aur puri parat khokli ho gayi aur phir.....

Vo bacha kabar ki parat ko todte hue mein bahar aa khada hua. Andhere mein uska gora badan chand ki roshni mein chamakne laga, mitti uske sharir se fisalti hui uske kabar ke andar girne lagi, usne apni gardan uppar uthai aur chand ke aage kalle badal aa gaye aur dharti par aa rahi roshni band ho gayi. Usne apne kadam uthaya aur dhire - dhire aage badne laga, thandi hawein jo band ho gayi thi vo ek baar phir chalne lagi, jaise jaise vo aage badh raha tha ek ajeeb sa badlav uske sharir mein hone laga, uski choti - choti tangein badi hone lagi, uske hath lambe ho gaye, kad uncha ho gaya, chehra bada ho gaya aur dekhte hi dekhte vo 2.5 feet ka bacha takreeban 6 feet ka ho gaya... Ye ek aisa bhayanak drishye tha jo ane valli zindagiyun mein tabhai lane vala tha.

Kudrat iska pehlu ban chuka tha ab shayad insan ki bari thi.....
 
Raat apne pure zor mein thi jiski chadar mein khamoshi lait chuki thi, thande mausam ne is gehri raat ko aur sukha kar diya tha. Raste sunsan the aur sab bekhabar agli subah ke liye so chuke the. Tabhi do log daru ke theke se bahar nikle, dono ki ankhein itni chadi thi jise dekh kar hi lag raha tha ki dono ne is kad-kadane vali sardi mein apna sharir daru se garam kar liya hai isliye unke sharir par is thand ka asar thoda kam tha. Dono apas mein baat-cheet karte hue apni manzil ki aur badh rahe the, dono ki batein aur unke chalte kadmo ki awaz us gali mein ek matr shor tha jo gunj raha tha.

" bhai aaj apne maza kara dia "

" ye to bas shuruwat hai.. aage dekhta ja aise maje roz honge .. "

" par achanak se aisa kya hua ? apne bataya bhi nahi... koi lottery lagi hai kya ? "

" aisa hi samajh le... " usne apni ungli mein pehni anguthi ghumate hue kaha.

" kitne ki lagi hai ? kahan se li ? mujhe bhi dilwao ? " is bar dusra admi kuch nahi bola, jabki vo apni tarasti ankhon se jawab mangne ke liye use hi dekhta raha aur phir uski nazar uski harkat par gayi.

" bhai ek baat batao... sham se dekh raha hu... daru pite hue bhi aap is anguthi ko ghuma rahe the aur abhi bhi ? kya ise ghumane mein maza milta hai ? " vo dusra admi uski baat sunte hi ruk gaya jiske sath-sath vo bhi ruk gaya.

" paisa milta hai ise... paisa... " vo use ghurte hue bola aur ek pal bich sadak mein khamoshi pasar gayi.

" pii hum dono ne bara-bar hai lekin chadi apko mujhse jada hai... " vo bolkar hasne laga. Usko hansta dekh samne vale ne uska galla pakad liya..

" salle abhi jo tune galle se free ki daru utari hai ye isi ki vajah se hai.. samjha.. " bolte hi usne uska galla chhod dia, galla itna halke hath se pakda tha ki uska koi asar use nahi hua tha. " tu nahi janta is anguthi ki takat ko jabse ye mujhe mili hai tab se mere pas sirf paisa hi paisa aa raha hai.. par tum salle chote log is baat ko kabhi nahi samajh sakte.. hat.. salle.. " use latad kar vo dhime kadmo se aage badne laga. Uska sathi admi ek pal vahin khada ye sochne laga ki agar vakai mein ek anguthi se paisa mil sakta hai to uske pas kitna ho jayega ? uski ankhon mein chamak badh gayi.

" bhai... bhai... " uska kandha pakad kar vo ek paltu kutte ki tarah vafadari dikhate hue bola.

" chal hat salle... bikhari... teri aukad nahi ki tu mujhe chue.. mein ab paise vala hun teri tarah lukha nahi.. salle jo sharab tune abhi pii janta hai uska bill pure 450rs tha tere pas hai kya itne paise ? paise chhod teri to aukad bhi nahi hai .. sala kanjar.. lukha.. hat.... meri anguthi ko bekar bolta hai... " vo use dhakka dekar aage badne laga lekin uska sathi-dar uski ji hazuri karta hua maffi mangta raha aur raste ke safar mein do nashe mein dhun insano ki dosti ho gayi, jiske piche ek insan ka maksad tha apni achanak se hui tariki ke ghamand ko dikhana to dusre ko usme dikh raha lalch...

" tu bas itna jaan le.. ki ye anguthi mere din bahut jaldi hi badal degi.. ab mein teri tarah lukha nahi rahunga.. ab mein bahut bada banunga.. sab haramiyun ko apne niche rakhunga aur tujhe.. tujhe mein.. apna paltu wafadar admi banaunga... "itna bol kar vo ganna gane laga.

" par ye anguthi mili kahan se ? kisne di ? " jawab mein kuch nahi mila. Usne wahi sawal dubara kiya.

" han.. kya kaha tune ? dekh tere itna bolne par mere ghar ka rasta kat gaya.. " vo char deewar mein dhake choti si kothari ke samne khada ho gaya.

" anguthi.. kaha se mili, ye mujhe bhi chahie.. " usne uska hath pakad kar ungli ki taraf hi ishara rakha, vo anguthi bahut mehngi dikh rahi thi aur ye use uski chamak bata rahi thi, achanak hi use ab vo chamak-dar dikhne lagi thi jise vo ghanto se dekh raha tha.

" bahut mehngi hai kya ye ? "

" anguthi.. ? kal baat karenge.. abhi mujhe bahut nind aa rahi hai tu bhi ja.. "

" pakka kal ? "

" han bola na.. " vo unchi awaz mein bola.

" thik hai bhai.. " usne uska hath chhod dia aur vo muskura utha phir apne sathi dost ke galle laga aur apni kothari ke andar chal dia, vo dusra admi tab tak khada raha jab tak samne se usne darwaja band hote hue na dekh lia.

" kal puchunga bhai se.. han.. mere pas bhi ye anguthi hogi.. mere pas bhi paisa aa jayega.. " usne apni ungli par hath fairaya jaise vo usi ki ungli mein hai. Sochte hue vo kuch kadam aage bada lekin uske kadam ruk gaye, lalch ne man mein apni puri pakad bana li thi, use vo anguthi kal nahi kisi aur se nahi balki abhi usi se chahie thi ? achanak aye badlav ne daru ki garmi utar di aur sharir ko thandi ka jaldi hi ehsas ho gaya jise pate hi uske honth thar-thara uthe. Lalch aisa nasha hai jo har daru ko utar de jab uski bhi utri to usne apne aap ko khamoshi mein paya vo bhi akela.. adhi raat ko vo bhi us jagah par jahan kuch dino se ye afwa hai ki koi janwar ghum raha hai jo logon ko buri tarah se mar raha hai aur uske bare mein abhi tak pata nahi chal paya hai. Ek bar uske zehan mein ye baat ayi aur vo apni ghar ki taraf badne ka sochne laga lekin jaisa mene kaha lalch ne uske pure man ko apne andat samet liya tha.

" vo anguthi bahut mehngi hogi.. sali kaise chamak rahi thi, use kharidne ke liye bahut bada hath marna hoga aur vo pata nahi kab hoga ? nahi mein itne din tak intezar nahi kar sakta, kuch hi waqt lagega.. vo anguthi lunga aur chala jaunga han.. bilkul... " khud se keh kar vo muda aur apne sathi-dost ke ghar ki aur badne laga. Uske kadamo ki ladkadahat ab daru ke nashe ki vajah se nahi balki dar ki vajah se thi. Andhere mein ye dar aur bhi kahin jada badh jata hai par jab usne apne sath-dost ke ghar ke bahar jalti ek choti si light dekhi to roshni se uska dar kuch kam ho gaya. Lukha chor tha vo isliye use dar chori ka nahi balki us akelepan ka tha jo uske sath bilkul use sat kar chal raha tha. Vo thik us jalti roshni ke samne aur apne sathi-dost ke ghar ki ek deewar ke piche aa khada hua, ab bas ek darwaja tha uske aur us anguthi ke bich, uski sans thand ki vajah se jada tez chal rahi thi. Usne apni kadam uthaye tabhi roshni ke dim-dimane se usne apni ankhein mich li aur phir us jalte hue bulb ki taraf dekhne laga jo bar-bar band khul raha tha, ' sar-sar ' karti awaz use pareshan karne lagi aur phir eka-ek vo band ho gayi.

Ek matr roshni jo ab bujh chuki thi, andhera hote hi ek baar phir dar ke saye ne use kabze mein liya lekin lalch ke chalte vo utha nahi balki usne ye kaam aur jaldi karne ka socha, vo soch kar muda ki ye kaam vo sirf kuch hi second mein kar lega jaise vo roz karta hai lekin jaise hi vo muda usi pal vo roshni phir jal uthi aur uski ankhein khuli reh gayi.
 
Raat ka sanata khatam hote hi agli subah ek baar phir khauf lekar ayi, logon ki bhed kohre se dhaki chadar mein jama ho chuki thi jiske sath police ki jeep vahan aa pahunchi. Jeep rukte hi inspector ne apne kadam zameen par rakhe aur bheed ko side karta hua us ghar ki taraf badne laga jahan pehle se kuch log maujud the.

" sir... " vahan kaam kar raha sub-inspector use dekhte hi bola.

" to ? " usne uski taraf dekhte hue ishare mein pucha.

" ye vala abhi tak ka sabse jada bhayanak hai sir... "

" hmm.. " vo andar ki aur badha. Andar pehle se hi 2 log maujud vahan ki halat ki tasveerein le rahe the, andar ki halat dekh inspector bhi hairan reh gaya, farsh ke sath sath deewar par khun ki chap har taraf thi. Vo chota sa kamra kis tarah ke atank mein pichli raat raha hoga uski kalpana karke ek pal uski ruh kanp gayi.

" khun ke sath alag-alag jagah par mans aur hadi ke tukde mile hain sir... aisi maut to mene apni zindagi mein nahi dekhi.. " sub-inspector ne use soch se bahar nikala.

" body kab bhijwai ? "

" logon mein dehshat faile use pehle hi bhijwa di thi.. "

" acha kiya... " uski nazre us kone mein padi thi jahan khoon ikhata pada tha jiske andar dhero mans ke tukde pade the. " shankar se pucho us admi ne abhi tak kuch bataya ya nahi "

" yes sir.. " bol kar vo jane laga.

" suno "

" sir "

" tum usi ke sath jeep mein nikal jana mein body dekh kar sidha chauki pahuchunga.. tab tak use puch taach karo "

" par sir vo bahut dara hua hai, jabse chauki aya hai tabse kuch nahi keh raha "

" to tumhe bulawana nahi ata " vo thodi unchi awaz mein bola.

" yes sir " keh kar sub-inspector nikal gaya.

" achi tarah se dekhna ek bhi finger print ya koi bhi hatiyar mile to mujhe fauran suchit karna.. " Vo kuch der vahin khada raha, phir bahar akar logon ke bich se jate hue unke bich ho rahi kana fusi uske kan mein padne lagi. Koi keh raha tha ki ye sab kisi bhayanak janwar ka kaam hai jaisa ki kuch mahino se log keh rahe the to kuch keh rahe the ki lukha chor tha kisi ne apsi-ranjish mein mar dia, ye sab batein vo sun chuka tha, par jab tak vo gadi mein baith kar vahan se nikalta ek awaz uske kano
mein padi.

" insan-insan nahi raha, shaitan uske sath bas chuka hai koi usse humse ab alag nahi kar sakta, koi nahi.Kudrat ab hum insano se bahut dur ja chuki hai usi tarah jis tarah humse hamari ruh " awaz itni najdeek se ayi thi ki sunte hi vo muda to use sirf kohre ki chadar hi dikhi, vo kuch dur chal kar aage bhi aya par use koi nahi dikha. " Kaun tha ? " man mein sawal to aya par usne ye mana ki gaon valon mein se hi koi hoga. Usne apna dhayan hataya aur jeep mein baith kar hospital ki taraf chal diya. Dhayan to usne hata liya tha par phir bhi vo baat mano uske zehen mein atak gayi thi isliye bar-bar dimag mein ghum rahi thi.

" ajay tum ? kab aye ? " hospital ke andar ghuste hi vo bola.

" kuch der pehle "

" sidha yahan aa gaye ? "

" shankar se phone par baat hui to sidha yahan chala aya "

" chale andar.. " Dono corridor mein chalte hue ek kamre ke samne ja khade hue, ajay darwaja kholta use pehle dr. darwaja kholta hua bahar aa nikla.

" mein janta tha inspector sharma aap ane vale hai, aiye aiye.. andar aiye.. " dr andar chala gaya.

" ye itna khush kyun hai ? " ajay ne asmanjas mein sharma ko dekhte hue darwaja khola aur phir dono andar ghus gaye.

" kuch waqt se mein ajeebo gareeb mauton ko notice kar raha hu kya aap log nahi kar rahe ? " dr. ne nazre utha kar kaha, par na sharma kuch bola na ajay dono jante the ki dr. bhi logon ki tarah unhe ye puchna chahta hai ki ye sab kab tak band hoga.

" lekin is baar mera dekha abhi tak ka sabse bhayanak katl hai ye.. " usne strecher ke uppar padi body se chadar hata di. Chadar hat-te hi jo nazara un dono ne dekha use dekh kar ek pal dono inspector ka kaleja muh ko aa gaya. Dono ne rumal apne muh par rakh liye, dono hi us badbu se ubkai liye na reh sake.

" apne abhi tak iski biopsy nahi ki dr. " ajay ke puchte hi dr. ne use ajeeb nazron se dekha.

" biopsy karne ke liye isme kuch bacha hai ? " dr. ke kehne par ajay ne ek baar phir us laash ko dekha, vakai mein kuch tha nahi, gardan ke niche tangon tak sirf sharir par maas ki patle patle tukde bache the. Hadiyan bhi chur-chur ho rakhi thi, sharir ke andar koi bhi ek ang na tha, na dil, na fefde na hi kuch aur.

" na jane marne valle ne kya socha hoga, itni behrami se kese maar sakta hai bhala aur na ang chhoda sharir mein " sharma kuch soch kar bola.

" mujhe bhi ascharya hai ki bhala koi kese maar sakte hai vo bhi is kadar "

" maut kab hui hogi iski ? "

" maut kal der raat 2 se3 baje ki bich hui hogi "

" marne ki vajah bata sakte hain "

" isme kehna mushkil hai lekin mujhe lagta hai pehla vaar galle par kiya gaya hoga, nishan dikh raha hai na " galle par nishan to the lekin maas ke tukde hadiyun mein fanse hote hue latak rahe the.

" marne ke baad jisne jo haal kiya us is khoon ko aur bhi jada pechida bana dia hai, aisa lag raha hai mano koi apna badla le raha ho " ajay ki baat sahi thi.

" tumhare kehne ka matlab koi iska dushman tha pehle se ? "

" ho sakta hai ya phir.. " ajay kuch kehta use pehle dr. bola.

" phir ye koi insan ka kaam ho hi na, koi janwar ho "

" aap bhi logon ki baton mien aa gaye ? " sharma ko dr. ki baat pasand nahi ayi.

" nahi sharma ji, mein isliye keh raha hun kyun ki jisne bhi ise mara uske baad usne kisi nukeli chiz ka istemal kiya hai vo bhi itni jada power ke sath ki usne iski
sharir ke tukde kar die "

" apke kehne ka matlab ye hai ki ? "

" koi bahut takatwar janwar hai, ya phir koi shaitani takat " dr ne apna chasma chehre par uppar ki taraf kar dia.

" kya bakwas kar rahe hain aap ? jada book padne lage hain " sharma ki nazar kamre mein ghuste hi sabse pehle ek book par gayi thi, jo counter par ek taraf padi thi.

" book padna mera shauk hai inspector. Par kuch chizen yakeen manne mein burai nahi hai, apko jald se jald is khuni ko pakdna hoga varna ye shuruwat ka kabhi ant nahi
hoga " dr ki is baat mein na jane kis baat ka khauf tha ki teeno ek sath us table par padi lash ko ghurte gaye.

Khamoshi aise bandhi thi jaise kisi ne sari awaz dharti se chin li ho, jeep mein do log baithe the lekin aisa lag raha tha jaise jeep apne aap hi chal rahi ho. Dr. se milne ke baad dono shant the, par zehan mein bahut se sawal chal rahe the.

" sir ek sawal puchun ? " usne jeep ki gati badate hue pucha. Jaise jaise jeep raftar pakad rahi thi thandi hawa tezi se dono ke sharir ko chu rahi thi.

" pucho " sharma abhi bhi soch mein tha.

" kya vakai in hadso ke piche kisi janwar ka hath hai ? " vo janta tha ki sharma is sawal ka kya matlab samjhega. Ek to uski soch bhi usi jagah atki thi aur ajay ne baat bhi wahi kahi thi. Insan ka dimag sabse tez hota hai, vo un baton ko aur vishwas ke sath man leta hai jise vo khud soch raha ho.

" tum kehna kya chahte ho ? " sharma kuch der sochne ke baad bola.

" sir apko kya lagta hai ki mein ate hi sabse apse milne kyun aya ? "

" mein samjha nahi.. "

" mein jo report lekar aya hun use sun kar shayad aap meri baat par vishwas nahi karenge "

" aisa kya aya hai report mein " sharma ke man mein jigasya thi to ajay baat ko kaise kahe vo yahi sochne laga.

" humne jo abhi dekha vo hamare liye behad khaufnak hai lekin jo kahaniyan mere pas hai uske baad shayad aap bhi sochne par majbur padh jaye " ajay apni baat puri karta use pehle usne break laga dia. Sharma kuch janna chahta tha lekin ise pehle vo is vishay par kuch puchta ajay ne gaddi rok di thi.

Police station ke kamre sharma chai ka cup liye baitha tha, sharma kisi chiz ke intezar mein tha isliye uski nazar samne baithe us admi par tiki thi.

" subah se bahut aram kar liya ab kuch batane ka irada hai ya nahi ? " sharma ne chai ki chuski li. Ajay us admi ke bagal mein baitha tha, sardi se sabhi ka bura haal tha, ek kone mein aag jal rahi thi lekin asar na ke bara-bar tha. Sharma ko ab gussa aa raha tha vo chahta tha to apne dande ki jor par uglwa leta lekin vo janta tha ki is case ki kahani kuch alag hai.

" ghabro mat hume malum hai tum kya karte ho aur vo kya karta tha aur hum tumhe kuch nahi karenge bas tum hume ye batao ki tumne kal kya dekha ? " ajay uski taraf dekh raha tha lekin vo apni nazre jhukaye baitha raha mano uska sharir jinda ho lekin uski ankh kahin aur tehr gayi ho. Ajay ne uski halat ko dekh ek baar phir kosish ki. " dekho, na bata kar tum sabko khatre mein dal rahe ho agar tum hume bata doge ki tumne kya dekha to shayad hum tumhare dost ke katil ko pakad sakenge, us insan ko ya phir us janwar ko.... "

" nahi... nahi pakad sakte aap use, vo koi insan nahi hai sahab, na hi koi janwar, vo ek shaitan hai sahab... ek shaitan..... " achanak se vo apni jagah se khada hua aur chillane laga. Uske ek dum chillane se police station mein majud sabhi ghabra gaye.Sharma aur ajay uska chehra dekh kar hi bata sakte the ki vo is waqt kitna ghabraya hua hai. Uske chehre par dar aisa tha mano vo pal jo usne kabhi dekha ho vo theek uski ankhon ke samne tha.

Sharma achi tarah janta tha ki jo dar vo is waqt mehsus kar raha hai vo bilkul thik hai lekin agar usne uska sath dia to vo ye baat nahi jaan payega ki akhir kal raat aisa kya hua ? kyun ki pichle 17 kison mein ye peha kis-sa tha jisme koi tha jo is hadse ka gawah bana tha varna aaj tak sirf lashein hi ayi thi hadse ke baad koi insan nahi.

" ye sab bakwas band kar, shaitan ? dimag thik hai tera.. dekh mein janta hun ki kal tum dono ne bahut pii rakhi thi. Ab tu mujhe sach bata de varna mujhe sach bulwane ke aur bhi raste ate hai " sharma ka chillana police station mein khamoshi cha gayi.

" mene apni ankhon se dekha hai sahab.. use... " haklate hue usne akhir-kar batana shuru kiya, vo pehli kahani jisko pehli bar kisi ne apni ankhon se dekha tha.
 
Lalch insan ki sabse badi kamjori hai aur vo usi kamjori mein fans chuka tha. Bulb ke bhujte hi andhera ho gaya, vo ghabraya jarur lekin vahan se gaya nahi, uski ankhon ke aage abhi bhi wahi anguthi thi jise vo ab apni banana chahta tha. Usne apne dono taraf ek pal dekha koi use dekhne ke liye maujud nahi tha par andhera aur chor dil hamesha kisi na kisi ke hone ki ahat deta rehta hai. Usko aisa abhas hua jese ghar ke piche jungli jhadiyun mein koi hai, ek pal usne us taraf dekha par vahan koi maujud nahi tha. Uski aur anguthi ki duri bas ek darwaja tha, usne jese hi darwaje par dhakka dia vo khul gaya aur usi pal jo bulb bujh gaya tha vo jal utha, uske jalte hi vo dar gaya aur deewar ke piche ja chupa. Use laga koi bahar aya hai isliye ek pal vo aise hi baitha raha phir jese hi usne apni nazar deewar ke piche se samne ki uski ankhein khuli reh gayi.

Vo ek pal samajh nahi paya ki jo samne dekh raha hai ki vo sach hai ya uski ankhon ka ek dhoka. Deewar par ek behad khaunak aur ajeeb sa dikhne wala shaitan tha jiske bade bade nakhun aur use jada bhayankar chehra tha jise samajh pana namumkin tha. Vo abhi us chiz ko samjhta use pehle uske vo nakhun tezzi se uppar se niche aur niche se uppar jane lage, tutne ki awaz uske kano mein padne lagi aur phir khun ke nishan deewar par padne lage, itna hi nahi khun pani ki tarah behta hua bahar aa raha tha. Ye dekh uske hath pairon ne jawab de dia, use samajh aa chuka tha ki vo bhi usi tarah marne vala hai lekin bhagne ki himmat jese usme thi hi nahi. Andar se aa rahi awazein khatam nahi ho rahi thi, uske dekhte hi dekhte vo shaitan mano jese kahiin kho gaya, uski dhire-dhire vo parchai jo deewar par bani thi jese niche ki aaur dhalti chali gayi aur vo phir gayab ho gayi.

" mein kafi der vahan baitha raha sahab lekin us ghar se bahar koi nikla hi nahi " uski ankhein abhi bhi usi tarah khuli thi jese us raat.

" bas ? itna hi dekha tumne ? "

" yani kisi ne tumhare dost ko mara aur tumne us marne vali ki parchai ko dekha par koi bahar nahi aya, is kahani se jada din nahi bachoge tum samjhe " sharma bar-bar
ek hi tarah ki batein sun kar pareshan ho chuka tha.

" kahani nahi hai sahab, mene us shaitan ko apni in ankhon se dekha hai "

" to usne sirf tere dost ko kyun mara tujhe kyun nahi ? "

" shaitan hai vo, mein use bhul nahi sakta " sharma ke sawal ko usne ansuna kar dia.

" tu keh raha tha ki tum dono jab daru ke adde se aa rahe the, to usne tujhse kisi anguthi ka jikar kia tha. Kya khas tha us anguthi mein ? "

" pata nahi sahab par usne mujhe yahi kaha tha ki vo anguthi use ameer bana degi, usi ki vajah se uske pas pese aye hain " ajay jawab sun sharma ki taraf dekh kar ankhon ki ankhon mein ek dusre se sawal jawab karne laga.

" aur tum us anghuti ko lene gaye the ? "

" hh...ha " ajay ke sawal ka jawab usne tute shabdon mein dia.

" pakka? lene hi gaye the ? "

" m..mangne gaya tha sahab, bas ek din ke liye "

" subah bhi le sakte the, lekin tumne usi waqt kyun lene ki kyun sochi ? " sawal sharma ne daga.

" mein janta hun sahab aapko lag raha hai ki mene khun hai kiya hai, mein samajh raha hun sahab "

" humne aisa nahi kaha, hum tumse janna cha rahe hain "

" mujhe jitna pata tha mene bata dia, ise alawa mujhe kuch nahi malum " ajay iske baad sawal karta sharma ne use ishare se chup rehne ko kaha.

" theek hai, hume koi aur jankari leni hogi to hum tumhe bula lenge, abhi tum jao " sharma se iski umeed nahi thi par vo admi utha aur nikal gaya.

" aap.. "

" ispr nazar rakhwao, ho na ho ye kuch chupa raha hai, hume to koi bhi anguthi uske ghar par nahi mili agar us admi ne us raat ko anguthi pehan rakhi hoti to vo hume jarur mili " ajay ke bolne se pehle sharma ne apne baat rakhi.

" par ho sakta hai jisne mara vo le gaya ho "

" ho sakta hai ajay, ye bhi ho sakta hai lekin maut dekhne wala sirf ek insan vahan maujud tha aur vo rakesh hi tha jo us waqt mohmmad ke sath tha, tum iske piche apna ek admi lagao jarur kuch pata chalega "

" theek hai sir " ajay keh kar vahan se nikal gaya.

Sham ko chuki thi, sard mausam ki wajah se andhera ho chala tha, thand roz ki tarah aaj bhi thar-thara dene wali thi. Police station mein aag bhujne ko thi. Sharma theek uske aage baitha tha aur uski ankh lag chuki thi. Eka-ek ajay ki awaz se uski ankh khuli.

" han bolo ajay, kuch mila "

" apna admi laga hua hai sir kuch milte hi mujhe phone karega "

" theek hai, acha ajay tum subah kuch bata rahe the kisi report ke bare mein "

" han sir "

" aisa kya hai jo tum tab bhi ghabraye hue the aur abhi bhi ho "

" baat hi kuch aisi hai sir, mein pichle kuch mahino se alag-alag seher se is report ko ikhata karke laya hun, aap padenge to aap bhi dang reh jayenge "

" aisa kya hai jisne tumhe itna ascharya kar dia "

" rehasmye maut "

Rakesh kambal odhe dhire-dhire aage badh raha tha, uske theek piche kuch duri par ek hawaldar jise ajay ne uske piche bheja tha. Rakesh ne kambal ke andar se hath bahar nikala aur us anguthi ko dekhne laga, dekhte sath use biti raat ki vo baat yaad aa gayi jab vo deewar ke piche baitha apne dost mohammad ke khun ko behta hua dekh raha tha aur usi pal use vo anugthi mili jo eka-ek uski ankhon ke samne aa gayi. Rakesh pichli raat se bahar aya aur dher sarre pese ki lalsa mein usne anguthi ko apni ungli mein dal liya. Ye shayad us anguthi ki chamak thi jisne dare hue rakesh ko aisa karne par majbur kiya tha varna jo kal raat usne dekha tha use dekhne ke baad to vo andhere se bhi darne laga tha.

Hawaldar jada dur nahi tha rakesh se par jab use vo andhere mein aage nahi dikha to usne apne kadam tez kar diye aur phir jese hi vo chal kar kuch dur pahuncha uske tez kadam dhire ho gaye. Uski ankhon ke samne ek insan zameen par pada tha, vo thoda pas aya aur sharir dekhte hi vo pehchan gaya ki vo sharir kiska hai. Itna hi nahi sharir dekhte hi hawaldar cheekh pada aur vo do kadam piche hat gaya. Usne fauran apna phone nikala aur ajay ko phone kiya.

" sahab jaldi aa jaiye, rakesh, uski laash mere samne padi hai " hawaldar bol raha tha aur rakesh ki ungli se vo anguthi kahin gayab ho gayi.
 
" ek aur ajeeb maut, ise dekh kar aisa lagta hai "

" jese sharir mein khoon jam gaya ho " ajay ne sharma ki baat puri ki.

" ye sab kese hua tumne dekha nahi ? "

" sir mein theek iske piche tha, achanak se kohra itna badh gaya ki mein ise theek se dekh nahi paya phir jab dikha to is haal mein pada tha yahan " ajay ki baat ka jawab dete hue hawaldar ne kaha aur laash ko ambulance mein dal dia gaya. Sharma aur ajay dono postpartam ke liye hospital jaa pahunche.

" aap itni jaldi aa gaye, abhi to body ayi hai " dr ne dono ko andar atte dekh kaha.

" hamare samne bhi to kar sakte hain, janna chahta hun ki ache bhale admi ko achanak se kya ho gaya " sharma ka jawab sun dr ne apne hath mein chota chaku liya aur rakesh ke sine par rakhte hue use vahan se chir dia. Chirte hi khoon nikalna chahie tha lekin kuch nahi nikla, Dr ne ache se uske sharir ko andar se kata aur jab uska dil nikala to teeno ke hosh ud gaye. Dil puri tarh se kala padh chuka tha, khun ka ek katra uske sharir mein kahin nahi tha. Dr ne apna chasma theek kiya aur uske dil ko apne pas rakhi tray par ludka dia.

" ye kese ho sakta hai iska to pura khoon jese kisi ne nikal dia ho ? " sharma rakesh ki taraf dekh raha tha uska muh sukh kr andar dans gaya tha, ankhein puri khuli hui thi jese jaan nikalte hue kitni takleef mein ho.

" achanak se aise kese kisi ka khun is kadar jam sakta hai ? manna mere liye bhi mushkil hai " dr kuch sochne laga. " inspector mujhe nahi lagta mein apko kuch aur bata sakta hun, report bhijwa dunga ki dil ka daura padne se maut hui varna is lassh ko koi samjha nahi payega na aap aur na hi mein " ajay aur sharma dono dr ki baat ko samajh rahe the kyun ki vakai un dono ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha. Dono kamre se bahar nikle, raat ho chuki thi, hospital kafi had tak khali tha. Corridor lamba aur sunsan tha, do char bulb walle lamp jal rahe the, sharma ke dimag mein bahut si batein chal rahi thi, ek taraf vo ye soch raha tha ki khuni ko pakdna uske baski nahi aur dusri taraf use logon ki kahi baat bhoo-pret shaitan in sabne pareshan kar dia tha. Uthal-puthal mein vo bhul gaya ki vo sidhe ki bajaye morgue room mein ki taraf chal dia hai.

" sir " ajay ke awaz lagate hi sharma ruk gaya aur awaz ki taraf dekhne laga.

" vo morgue room hai " sharma ne jab samne darwaje par naam dekha to vo ek kadam piche hogaya, itni thand mein bhi chehre par pasina aa chuka tha uske. Dono jeep mein baithe aur police station ki aur chal die.

" hume laga tha rakesh ne us anguthi ke chalte mohmmad ko mara hoga par vo to khud mara gaya aur agar ye anguthi ka role sach hai to vo anguthi hai kahan ? na hume mohmmad ke ghar mili na hi rakesh ke pas, akhir ye anguthi ka mazra kya hai? " sharma sawalo se pareshan tha.

" shayad apko meri report se kuch madad mile sir "

" tumhari report padne hi to baitha tha ki phone aa gaya, aisa kya hai us report mein jo tum yahan ke vardat ko usse jod rahe ho "

" kyun ki usme bhi kuch aisa hi hai sir, vo case na to open hai na hi close ho paye hai, vahan bhi kuch isi tarah ki mautein hai aur isi tarah ki khamoshi "

" aur ? " sharma jese sab jaan lena chahta tha. Itne mein police station aa gaya.

" aur ap shayad sab samajh jaye, mein rakesh aur mohmmad ki jankari apne khabri ko de deta hun kya pata vo kuch khoj nikale "

" theek hai, tum jao aram karo "

" aur aap ? "

" mein tumhari report padna chahta hun ajay, mere zehan mein ye chal rahi mautein atak gayi hai aur agar jo tum keh rahe ho vo sach hai to shayad bhagwan hi bacha sakta hai ab hume in halaton se " sharma jeep se utar kar police station ke andar apni kursi par ja pahuncha, uski table par ajay ki report padi thi.

Benguluru - Kartnatka

" i am feeling much better now a days "

" that's good, so which doctor ? "

" well, mene kisi doctor ko approach nahi kiya, actually i am working on my own "

" that's really good shalini, i mean i can understand us sab se bahar niklna its very difficult "

" yeah i know, but now i am going to be in good shape " shalini phone par baat karte hue ungli mein pehni anguthi ko ghuma rahi thi.

" ok so when we are meeting ? "

" i'll let you know "

" chal ok, dekha baat karte hue pata nahi chala itna late ho gaya "

" han 12 bajne valle hain "

" it's very good to see you like this now shalini, i am happy that you are recovering "

" mee too, good nyt " phone cut karne ke baad shalini sofe par lait kr book padne lagi. Ab use raat se dar nahi lagta tha, nind na ane ki bimari uski ab dur ho chuki thi, depression ne jese uski zindagi ko jakad liya tha. Book padte hue usne coffe ka mug uthaya aur pite sath usne book ko table par rakh dia. Nazar samne lagi ghadi par padi 1 baj chuka tha. Usne choti si ubasi li aur phir vahan se uth kar ungli mein anguthi ghumate hue sidiyan chadte hue apne kamre ki aaur badh chali.

Takreeban adhi der raat ko shalini gehri nind mein soi hui thi ki eka-ek kisi ahat ne uski nind khol di. Usne apni ankh kholte hi side lamp on kia. Ghadi vahin rakhi thi jispar time 2:55 ho raha tha. Usne uth kar ubasi lete hue ankhein mali aur pani pine ke liye jug uthaya lekin usme pani nahi tha. " pani kese khatam ho gaya ? " pyas bahut zor se lagi thi use shayad isliye uski nind khuli thi ye soch kar usne apna hath phone ki taraf badhaya tha ki tabhi side lamp jalte-jalte lub jub hone laga.

`zarr-zarr` awaz hui aur vo band ho gaya. Shalini ne on/off kiya lekin vo on nahi hua, usne apna phone uthaya aur use unlock kar dia. " signal bhi nahi hai " usne apne phone ki light on ki aur palang se uth kar kamre mein lagi baki light on/off karne lagi. " light nahi hai, par generator on kyun nahi hua ? " shalini andhere mein khadi thi ek matr roshni uske phone se aa rahi thi, vo abhi kuch soch hi rahi thi ki use awaz sunai di jise sun vo cheekh padi.

Awaz shayad niche se aayi thi, shalini ghabra gayi usne kamre ka gate bina khole hi awaz di, " kaun hai ? " ghar mein itna sanata pasra tha ki uski awaz har kone mein gunj uthi. Jawab na ane par shalini ko laga mano uska veham par vo ghabra bhi rahi thi. Usne phone dekha to usme abhi bhi signal nahi aa rahe the.

" kaun ho sakta hai ? koi chor ? nahi aisa hota to security alaram to bajta hi, shayad ye mera hi veham hoga " shalini ye maan apne kamre se bahar nikal gayi, pani pine ke liye par kamre mein rakha jug pura bhara hua tha.
 
" ek aur ajeeb maut, ise dekh kar aisa lagta hai "

" jese sharir mein khoon jam gaya ho " ajay ne sharma ki baat puri ki.

" ye sab kese hua tumne dekha nahi ? "

" sir mein theek iske piche tha, achanak se kohra itna badh gaya ki mein ise theek se dekh nahi paya phir jab dikha to is haal mein pada tha yahan " ajay ki baat ka jawab dete hue hawaldar ne kaha aur laash ko ambulance mein dal dia gaya. Sharma aur ajay dono postpartam ke liye hospital jaa pahunche.

" aap itni jaldi aa gaye, abhi to body ayi hai " dr ne dono ko andar atte dekh kaha.

" hamare samne bhi to kar sakte hain, janna chahta hun ki ache bhale admi ko achanak se kya ho gaya " sharma ka jawab sun dr ne apne hath mein chota chaku liya aur rakesh ke sine par rakhte hue use vahan se chir dia. Chirte hi khoon nikalna chahie tha lekin kuch nahi nikla, Dr ne ache se uske sharir ko andar se kata aur jab uska dil nikala to teeno ke hosh ud gaye. Dil puri tarh se kala padh chuka tha, khun ka ek katra uske sharir mein kahin nahi tha. Dr ne apna chasma theek kiya aur uske dil ko apne pas rakhi tray par ludka dia.

" ye kese ho sakta hai iska to pura khoon jese kisi ne nikal dia ho ? " sharma rakesh ki taraf dekh raha tha uska muh sukh kr andar dans gaya tha, ankhein puri khuli hui thi jese jaan nikalte hue kitni takleef mein ho.

" achanak se aise kese kisi ka khun is kadar jam sakta hai ? manna mere liye bhi mushkil hai " dr kuch sochne laga. " inspector mujhe nahi lagta mein apko kuch aur bata sakta hun, report bhijwa dunga ki dil ka daura padne se maut hui varna is lassh ko koi samjha nahi payega na aap aur na hi mein " ajay aur sharma dono dr ki baat ko samajh rahe the kyun ki vakai un dono ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha. Dono kamre se bahar nikle, raat ho chuki thi, hospital kafi had tak khali tha. Corridor lamba aur sunsan tha, do char bulb walle lamp jal rahe the, sharma ke dimag mein bahut si batein chal rahi thi, ek taraf vo ye soch raha tha ki khuni ko pakdna uske baski nahi aur dusri taraf use logon ki kahi baat bhoo-pret shaitan in sabne pareshan kar dia tha. Uthal-puthal mein vo bhul gaya ki vo sidhe ki bajaye morgue room mein ki taraf chal dia hai.

" sir " ajay ke awaz lagate hi sharma ruk gaya aur awaz ki taraf dekhne laga.

" vo morgue room hai " sharma ne jab samne darwaje par naam dekha to vo ek kadam piche hogaya, itni thand mein bhi chehre par pasina aa chuka tha uske. Dono jeep mein baithe aur police station ki aur chal die.

" hume laga tha rakesh ne us anguthi ke chalte mohmmad ko mara hoga par vo to khud mara gaya aur agar ye anguthi ka role sach hai to vo anguthi hai kahan ? na hume mohmmad ke ghar mili na hi rakesh ke pas, akhir ye anguthi ka mazra kya hai? " sharma sawalo se pareshan tha.

" shayad apko meri report se kuch madad mile sir "

" tumhari report padne hi to baitha tha ki phone aa gaya, aisa kya hai us report mein jo tum yahan ke vardat ko usse jod rahe ho "

" kyun ki usme bhi kuch aisa hi hai sir, vo case na to open hai na hi close ho paye hai, vahan bhi kuch isi tarah ki mautein hai aur isi tarah ki khamoshi "

" aur ? " sharma jese sab jaan lena chahta tha. Itne mein police station aa gaya.

" aur ap shayad sab samajh jaye, mein rakesh aur mohmmad ki jankari apne khabri ko de deta hun kya pata vo kuch khoj nikale "

" theek hai, tum jao aram karo "

" aur aap ? "

" mein tumhari report padna chahta hun ajay, mere zehan mein ye chal rahi mautein atak gayi hai aur agar jo tum keh rahe ho vo sach hai to shayad bhagwan hi bacha sakta hai ab hume in halaton se " sharma jeep se utar kar police station ke andar apni kursi par ja pahuncha, uski table par ajay ki report padi thi.

Benguluru - Kartnatka

" i am feeling much better now a days "

" that's good, so which doctor ? "

" well, mene kisi doctor ko approach nahi kiya, actually i am working on my own "

" that's really good shalini, i mean i can understand us sab se bahar niklna its very difficult "

" yeah i know, but now i am going to be in good shape " shalini phone par baat karte hue ungli mein pehni anguthi ko ghuma rahi thi.

" ok so when we are meeting ? "

" i'll let you know "

" chal ok, dekha baat karte hue pata nahi chala itna late ho gaya "

" han 12 bajne valle hain "

" it's very good to see you like this now shalini, i am happy that you are recovering "

" mee too, good nyt " phone cut karne ke baad shalini sofe par lait kr book padne lagi. Ab use raat se dar nahi lagta tha, nind na ane ki bimari uski ab dur ho chuki thi, depression ne jese uski zindagi ko jakad liya tha. Book padte hue usne coffe ka mug uthaya aur pite sath usne book ko table par rakh dia. Nazar samne lagi ghadi par padi 1 baj chuka tha. Usne choti si ubasi li aur phir vahan se uth kar ungli mein anguthi ghumate hue sidiyan chadte hue apne kamre ki aaur badh chali.

Takreeban adhi der raat ko shalini gehri nind mein soi hui thi ki eka-ek kisi ahat ne uski nind khol di. Usne apni ankh kholte hi side lamp on kia. Ghadi vahin rakhi thi jispar time 2:55 ho raha tha. Usne uth kar ubasi lete hue ankhein mali aur pani pine ke liye jug uthaya lekin usme pani nahi tha. " pani kese khatam ho gaya ? " pyas bahut zor se lagi thi use shayad isliye uski nind khuli thi ye soch kar usne apna hath phone ki taraf badhaya tha ki tabhi side lamp jalte-jalte lub jub hone laga.

`zarr-zarr` awaz hui aur vo band ho gaya. Shalini ne on/off kiya lekin vo on nahi hua, usne apna phone uthaya aur use unlock kar dia. " signal bhi nahi hai " usne apne phone ki light on ki aur palang se uth kar kamre mein lagi baki light on/off karne lagi. " light nahi hai, par generator on kyun nahi hua ? " shalini andhere mein khadi thi ek matr roshni uske phone se aa rahi thi, vo abhi kuch soch hi rahi thi ki use awaz sunai di jise sun vo cheekh padi.

Awaz shayad niche se aayi thi, shalini ghabra gayi usne kamre ka gate bina khole hi awaz di, " kaun hai ? " ghar mein itna sanata pasra tha ki uski awaz har kone mein gunj uthi. Jawab na ane par shalini ko laga mano uska veham par vo ghabra bhi rahi thi. Usne phone dekha to usme abhi bhi signal nahi aa rahe the.

" kaun ho sakta hai ? koi chor ? nahi aisa hota to security alaram to bajta hi, shayad ye mera hi veham hoga " shalini ye maan apne kamre se bahar nikal gayi, pani pine ke liye par kamre mein rakha jug pura bhara hua tha.
 
Dear Harshit bhai,

Good Morning!

Dear bhai mene aapki story padhi hai
Kya batau Kya kamal ki hai mere pass to word hi nahi hai aapki tarif me
adore.gif
adore.gif
adore.gif


Bhai ek baat puchni hai aapse

Haunted ~~ " Game Of Rings "

Or
Haweli ~~ " The Night Is Dark "
Ye dono story alag alag hai ya hunted part 1 or part 2 ke part hai tora clear kar denge to samajh me aayega bhai
Mene Abhi ki hunted game of ring or haweli the king is dark nahi padhi hai but
Aap thora clear kar denge to padhna start karunga taki samjhne me aasani ho

Ek or baat bhai mene Aap KO follow kiya hai XP se but vaha mene bahar se hi padha tha kabhi account nahi banaya tha but me aapka fan hu bhai
But bhai ab me aapki story like BHI karunga or sikayat BHI aapse
I love u bhai
God Bless u bhai

Thanks bhai
 
Ghar ke andhere mein bas ek matr roshni jise kuch chamak thi to vo shalini ke phone se nikal rahi thi. Usne dheme se apna per utha kar sidi par rakha aur jese vo ek pedi niche utri, " kaun hai.. ? " vo ghabra gayi thi. Awaz kitchen ki taraf aa rahi thi isliye mobile ki roshni bhi usi taraf thi. Man ki bechaini, dimag ka dar uske chehre par bahut jada tha. Uski sansein is waqt bahut tez thi. Ek pal vo jakar kamre mein khud ko band kar lena chahti thi par vo apne per vapis nahi mod payi. Usne kadam niche ki taraf badaye aur vo sidiyan utarne lagi, shayad uske waqt ki ye sabse lambi sidi thi jo khatam nahi ho rahi thi.

Phir jese hi vo niche ayi ek baar phir vo ata shor band ho gaya. Use samajh nahi aya ki ye ho kya raha hai, use khud par shaq hua ki kahin phir se to nahi uske dimag mein pehle ki tarah batein chal rahi hai jiski wajah se use shor sunai de raha hai. Par itne dino baad aaj hi kyun ? vo sochte hue hall ki taraf badhi, hall mein andhera aur vahan lagi ghadi ki awaz ke alawa aur kuch nahi tha.

Awaz kitchen se ayi thi to vo kitchen ki aur badi, ek pal ko uski mobile ki torch bhi lup-jhup hui na jane kyun par vo phir theek ho gayi. Kitchen hall ke end mein tha usne deewar ke piche se phone ko aage karte hue jhank kar dekha, usne pehle sink ki aur dekha aur dhire-dhire hath modte hue nazre mobile ki roshni ke sath puri kitchen mein firayi lekin vahan koi bhi nahi tha. Kitchen mein kisi ko na dekh usne gehri sans chhodi aur mano use kisi baat ki tassali ho. Use pyas bahut lagi thi to usne mobile ko fridge ke uppar rakha aur fridge mein se bottle nikal kar pani pine lagi.

" aaaaaahhh.. " uske hath se bottle giri aur vo do kadam piche ki taraf chali gayi. Achanak se sink ke nal se pani girne laga jise sun vo ek dum se dar gayi. Uski sans bahut zor se chal rahi thi. " oh god.. " vo ghabrate hue aage padi to uske per pani par padh gaye. Usne bottle nahi uthai vo sink ke pas gayi, pehle nal ko ache se band kiya. " ye apne aap ? kal dikhana padega " mud kar usne bottle uthai aur phir vo vese hi khadi rahi bina hile.

Piche se ek-baar phir pani girne ki awaz aa rahi thi, uske hath jisne bottle ko pakda tha vo kampne lage. Vo mud kar dekhne ke liye himmat jutta rahi thi, bartan ki awaz us pani mein khann-khann karne lage. Usne bottle ko kaskar pakda aur vo usi pal ghum gayi. Samne koi tha, uski nazar ke samne theek use 2-3 feet ki duri par koi khada tha sink ke samne, shalini kuch kehti use pehle us aurat ke lambe baal hawa mein piche se udne lage.

" aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhh " shalini cheekhte hue piche hui aur uska per fisal gayi, vo niche giri aur gir kar zor zor se chillane lagi. Andhere mein mobile ki chamak mein jo usne dekha usne uske dil ko puri tarah se jhanjhod dia tha. Vo zameen par gir kar dar ke mare chilla rahi thi ki eka-ek vo ruki aur usne samne dekha, kitchen mein koi tha hi nahi. Bottle zameen par idhar-udhar ho rahi thi pani floor par pada tha bas iske alawa vahan koi nahi tha. Uske chehre par dar aur pasina dono tha sansein bahut tez thi.

" koi tha abhi yahan par mene dekha use " vo khud se batein karne lagi. " i need to sleep, pata nahi kya ho raha hai aaj " vo apni jagah se khadi hui, jo usne dekha use vo veham man baithi isliye usne badi mushkil se phone to fridge ke uppar se le liya par bottle ko vahin chhod dia. Vo bas jald se jald apne kamre mein jana chahti thi. Vo hall mein ayi aur sidiyun ki taraf badhi aur tabhi use ehsas hua jese koi hai sofe par jo baitha usi ki taraf dekh raha hai. Ye andhera ka asar tha? ya phir uska dimag ? jo usne abhi dekha kya vo sach tha ? ya phir ye sab uska veham hai ? vo khud se sawal par sawal kar rahi thi. Usne ek bar mobile ki roshni se sofe ki taraf dekha par vahan koi nahi dikha. Iske baad usne rukna sahi nahi samjha vo bas kamre mein khud ko band kar lena chahti thi taki is raat ko kaat sake. Vo phir sidiyun ki taraf badhi aur abhi kuch sidiyan chadi hi thi ki achanak se use kisi chiz ke girne ki awaz ayi, mano uppar se kisi chiz ko giraya gaya ho, vo dar ke mare zor se cheekh padi.

" kaun hai, koi hai to samne aao " is bar vo rote hue chillai. Usne roshni se hall ki taraf dekha to zameen par ghadi giri hui thi. Shalini ne roshni se zameen par giri hui ghadi ke theek uppar dekha to use uski ankhon par yakeen nahi hua, " agar ghadi zameen par giri hai to phir .. " deewar pa abhi bhi vo ghadi tangi hui thi, usne phir zameen ki taraf dekha jahan par ghadi tuti hui padi thi, usne uppar dekha jahan ghadi lagi hui thi. Usne kai bar apne hath ko uppar niche kiya aur phir vo rone lagi, " ye kya ho raha hai mere sath, kya ho raha hai "

" Aaaaah " chillate hi uske hath se mobile chhut gaya aur vo sidiyun se ludkta hua niche jaa pahuncha. Use mehsus hua mano uske pairon ko kisi chiz ne chhua ho, vo ek sidi uppar ayi par phone niche ja chuka tha, uske hath ki ek matr roshni uske hath se fisal chuki thi. Uska dil nahi kar raha tha ki vo phone lekar aye lekin vo andhere se dar bhi rahi thi, phir bhi himmat karke usne phone lane ke liye ek per sidi ke niche rakha ki tabhi phone ki light band ho gayi aur uske per vahin ruk gaye.

Ab koi roshni nahi thi, uska khud ka ghar jiska vo har kona janti thi vahi ghar is andhere mein use ghur raha tha. Har kona use aisa lag raha tha jese use hi dekh raha ho, eka-ek use laga jese koi sidiyan chad raha ho. " kaun hai " vo uppar ki taarf ek pedi chadi par samne koi nahi dikha, use sirf mehsus ho raha tha ki koi hai uske samne aur vo uski taraf hi badh raha hai lekin dikh nahi raha tha. Isi ehsas ne uska dil jhanjod kar rakh dia, vo seham uthi dar ne jese ab uske har hisse mein kabza kar liya ho.

Vo tezi se mudi aur apne kamre ki aaur bhagi, vo ab kamre mein khud ko band karke is sab se azad hona chahti thi. Vo kamre ke pas pahunchi aur use dhakka dia lekin vo khula nahi. Usne darwaje ke door lock ko zor-zor se ghumaya par vo khul nahi raha tha, har badta pal use ehsas dila raha tha ki koi hai jo uski taarf badh raha hai par vo gate nahi khol paa rahi. " anybody, please help, help " vo zoroor se darwaje par marne lagi par jab vo nahi khula to vo vahan se bhagi. Bhagte hue vo giri, gir kar vo uthti use pehle use mehsus hua kisi ne uska per pakda hai. Vo chillai aur piche ki taraf hui aur khadi hokar phir bhagi. Bhagte hue vo terrace par ayi aur terrace par atte hi usne uska dawaja band kia aur uske aage khade hokar zor-zor se sans lene lagi.

" ye sab mere dimag mein hai kuch nahi hai, koi nahi hai " vo khud ko samjha rahi thi ki terrace ke gate par koi knock karne laga. " kaun hai, koi nahi hai mein sab janti hun koi nahi hai " darwaje par pad rahi dastak tez hone lagi aur tez hone lagi. Shalini chilla rahi thi par uske chillane ki awaz terrace ke darwaje par ho rahi awaz mein chup rahi thi. Shalini ki ankh se ansu nikle jaa raha tha vo khud ko samjha rahi thi lekin uske dimag ki nasein fatne lagi thi vo bardash nahi kar paa rahi thi.

" aaaaaaaah basss bassssssssss " usne apne kano par hath rakh lia tha. Vo darwaje se hat kar aage aa gayi thi. Shalini ro rahi thi vo knock karne ki awaz band ho gayi thi, usne apna sar utha kar samne dekha to terrace ka darwaja band tha. Vo palat gayi aur ghar ke samne is shanti ko dekhne lagi jo vo hamesha se chahti thi, vo abhi bhi bas wahi cha rahi thi, usne do kadam aage badaye, niche nahi jana chahti thi bas yahan asman ke niche baith kar is raat ko piche chhodna chahthi thi par usi samay use aisa laga jese koi piche uski taraf tezi se aa raha hai, vo palti par uska balance bigad gaya aur vo terrace se niche jaa giri. Ungli mein pehni anguthi jo khoon mein dub chuki thi vo eka-ek gayab ho gayi.
 
Vadodra - Gujrat

Class mein teacher board par kuch likhti hui puri class ko samjha rahi thi. Class ke sabhi bache use sun rahe the par unme se ek ladki thoda pareshan thi. Vo madam ki baat sun to rahi thi par sath mein kuch pareshan bhi thi. Bich bich mein vo apni ankh khujati aur phir madam ke kahe anusar notebook mein bhi likh rahi thi. Kuch der tak ek ankh ko ache se khujane ke baad usne chain ki sans li. Usne phir se padai mein dhayan laga dia aur phir kuch der yun hi beet gaya.

Par tabhi ek baar phir usko ankhon mein bahut tez khujli hone lagi, vo phir unhe khujane lagi. " divya, divya " teacher usse kisi sawal ka jawab chahti thi isliye use awaz lagaye jaa rahi thi par vo itna kho chuki thi ki uska dhayan hi nahi tha. Vo bas kisi tarah is ankhon ki khujli se azad hona chahti thi. Akhir jab divya ne koi jawab nahi dia to teacher uski seat ke pas aa pahunchi.

" divya " vo divya ko is kadar khujate hue dekh hairan reh gayi. Usne divya ka hath ankh se hataya par divya ne turant use apni ankh par rakh lia.

" divya ye kya kar rahi ho "

" madam bahut jada khujli ho rahi hai, bas ho jayega theek " divya aur zor se malne lagi.

" divya aise ankhon ko nuksan hoga, hath hatao " is bar madam ne divya ka hath khinchte hue use pakad liya. Ek pal ke liye madam bhi divya ki ankh dekh hairan ho gayi. Vo puri lal ho chuki thi jese khoon puri tarah se ankhon mein utar aya ho. " jao pani se dho kar aao "

" ji madam " divya khadi hui aur usne phir apna hath ankh ki taraf badhaya.

" hath mat lagao, samajh nahi aa raha ab bina hath lagaye jakar muh dho kar aao " madam ke dantne par divya ne kosish ki aur class se bahar niklal gayi. Par class se bahar nikalte hi usne phir apna hath ankh par rakh lia. Bathroom tak jate-jate usne ankhon ko malne se nahi roka. Bathroom pahunch kar vo apne toe par khadi hui aur aine mein apna chehra dekhne lagi. Ek pal ke liye vo apni ankh dekh kar dar gayi phir usne nal khola aur pani se apni ankh dhone lagi. Usne apni ankhon ko ache se dhoya aur phir bathroom se bahar aa nikli. Ankh dhone ke baad use aram to milne laga lekin use na jane kyun ajeeb sa lagne laga tha.

" may i come in madam " usne class ke gate ke bahar se pucha.

" han come in, ab theek lag raha hai ? "

" yes madam "

" theek hai jao apni seat par baitho " Divya apni seat par ja baithi. Ab use acha lagne laga tha isliye uska dhayan bhi padai mein dubara lag gaya.

" ohoo ye bache " padate hue teacher class se bahar nikli aur dusri class ke bachon par chillane lagi jinhone class mein koi teacher na hone par halla macha rakha tha. Vo bache tab tak shant rahe jab tak unhe dant padh rahi thi jese hi teacher apni class mein vapis aye to vo phir chillane lage. Thak-har kar akhirkar teacher ne apni class ka darwaja band kar dia aur vo phir padane lagi.

Divya ko ab aram tha aur vo padne mein khoi hui thi ki achanak uski ankheon ki putli badhi ho gayi, achanak se usne pencil chhod di aur phir ankhein zor-zor se malne lagi. Is baar to jese vo rukne ka naam hi nahi lena chahti thi, sath mein baithi dusri ladki ne dekha to vo ghabra gayi aur usne apni teacher ko awaz lagai.

" divya " teacher vahin se chillai lekin divya nahi ruki akhirkar teacher ko uske pas ana pada, usne divya ko danta par vo nahi suni, usne uska hath khincha lekin usne apna hath nahi hataya. Teacher ne phir koshsish ki to divya ne use dhakka de dia, dhakka itni zor ka tha ki teacher piche ki taraf dusri bench se ja takrai.

" tum pagal ho gayi ho kya " teacher gusse mei uski taraf badhi tabhi divya ne ankh malni band ki aur apna hath niche kar liya, phir jese hi uski nazar divya par padi uski ruh kanp uthi. Ankh ki jagah ab ek bada sa ched tha jisme se khun ris raha tha usne apni ankh ko hath mein pakad rakha tha. Abhi teacher kuch keh pati use pehle ek ajeeb si lambi cheez divya ki ankh se nikli aur teacher cheekhte hui piche ki taraf ja giri.

" aaaaaaahh - aaaaaaaaahh " teacher ke sath sabhi bache bhi cheekhe, kuch darwaje ki taraf bhi bhage lekin bahar na nikal paye.

Inspector dekhte hue apne kadam rakhte hue class room mein ghus raha tha, vo nazara usne apni zindagi mein nahi dekha tha. Puri class chote-chote bachon ki laash aur khoon se bhari padi thi. Itni bhayanak maut kabhi kisi ne nahi dekhi thi, vo bachte-bachte apne sub-inspector ke pass pahuncha.

" takreeban 40 bache aur ek teacher thi sir "

" kisne mara, koi sabut ya phir kuch aur mila ? "

" nahi sir, asal mein class ke andar koi aya hi nahi kyun ki class ko samne chal rahi class ke bachon ne bahar se band kar dia tha. Yahan tak ki kisi ko bahar koi shor sunai nahi dia. "

" ye kese ho sakta hai ? "

" wahi to mein bhi soch raha hun " sub-inspector ki baat sun, inspector idhar udhar dekhne laga, kayi lassh ke sar nahi the to kai ke per, kayion ke pure sharir mein buri tarah se katte janne ke nishan the. Teacher ke sharir deewar ke shahre pada tha aur uska pura pet kisi ne fad rakha tha jisme se uski antadiyan aur baki sab bahar gira hua tha.

" itna bada hadsa hua aur kisi ko kuch pata nahi chala " inspector class ke piche lage kanch ko dekhne laga mano vahan koi khada use dekh raha ho. Inspector mujrim ke bare mein soch raha tha wahin uske per ke bagal mein khun ke andar chup chuki vo anguthi kahin kho gayi.
 
" sir " ajay ki nazar so rahe sharma par tiki thi. Vo samajh gaya tha ki puri raat sharma kis vajah se police station se vapis ghar gaya hi nahi tha. Table par ajay ki di gayi file padi thi jo vo kal raat sharma ko dekar gaya tha. " sir " vo ek baar phir bola aur shant ho gaya. Sharma gehri nind mein kambal ode so raha tha, ajay uski taraf badha aur use uthane ke liye hath badaya ki sharma achanak se uth baitha. Ajay fauran do kadam piche hue " good morning sir "

" morning, subah ho gayi " sharma ne ubasi li aur bahar ki taraf dekha, ujala tha par dhup nahi, chai mangwana " angdai lete hue uski nazar samne rakhi file par gayi to uski nazar vahin ruk gayi aur uski ankhon ke aage kuch cheekhein samne aa gayi.

" lagta hai aap puri raat is file ko padh rahe the " ajay chair par baithte hi bola. Sharma shant raha, thand ne uski dadhi ke baal khade kar rakhe the ya phir jo usne padha use yaad karke rongte khade ho gaye the, ye ek rehasya tha jo sharma ki ankhon mein ajay samjhne ki kosish kar raha tha. Hawaldar table par chai ka cup rakh kar chala gaya. Us garam chai se nikalta dhuan jis tarah sard hawa mein kho raha tha usi tarah sharma ki himmat kho chuki thi.

" kya hum jise ladh rahe hain vo zinda hai ? " sharma ki is baat ne ajay ke bhi rongte khade kar die. Usne fauran muh se chai ka cup hataya aur sharma ko savaliya nazron se ghurne laga.

" aap kehna kya chahte hain ? "

" wahi jo tumne padne ko kaha tha, tumne shayad dhayan nahi diya ajay, koi bhi, koi bhi mara nahi gaya " itni dabi awaz mein vo bola mano vo hawa ko bhi batana nahi chahta.

" to ? " ajay ka dil zoron se dhadak raha tha. Sharma ajay ke chehre ke najdeek aya aur behad dabi awaz mein bola, " sab khud mare hain " Ajay ke alawa koi aur hota to vo sharma ko dekh kar keh nahi pata ki vo ek police wala hai.

" sahab " ajay kuch bolta use pehle piche se awaz ane par dono ki nazre us taraf ghum gayi.

" kya pata kia hai ? " ajay ne uski taraf chai badai.

" nasha aur juain ki latt thi sahab use aur vo uska sathi rakesh ek number ka harami tha sahab, jahan pesa vahin vo laga rehta tha, us din bhi dono us jungle wale khandar mein the "

" usi khandar mein jahan par afva hai? "

" kesi afva ? " sharma ne pucha.

" bhoot-pret ki sahab, han apne sahi kaha vo vahin tha vo aksar vahan jaya karta tha sahab "

" acha aur kuch ? uski kisi se ladai ? "

" aisa to kuch nahi hua sahab jiske liye uska khun kar dega koi, in logon ki to aye din ladai hoti hai "

" hmm "

" par sahab ek baat mujhe ajeeb lagi "

" kya ? "

" achanak se uske bahut pesa aa gaya tha, kese kuch pata nahi chala par suna ki log bol rahe the ki kala jadu karwaya tha aur usi ki vajah se mar gaya "

" kya bakwas hai " sharma bola.

" bilkul sahab bakwas hi hai mein to apko bas logon ka bata raha hun "

" acha ek baat bata kya kisi ne tujhe koi anguthi ke bare mein bataya ? " ajay ne pucha.

" aisa kuch to samne nahi aya par iske bare mein bhi kuch pata karta hun "

" theek hai " usne 500 ka note dia aur vo vahan se nikal gaya.

" apko kya lagta hai sir "

" kis bare mein ? " sharma kuch soch mein tha, ajay ke sawal par bola.

" kala jadu ? "

" tum ek insan se puchte to shayad tumhe jawab milta par is vardi mein nahi. Kai bar kuch chizon ka faisla hum nahi karte, kai bar kuch chizen hum nahi khoj sakte aur ye wahi hai shayad is bar iska jawab hume koi aur dhund kar de " Sharma aur ajay ke manne na manne se jada sach unke samne tha, jisme sirf kahani thi kirdar nahi.

" pata nahi kab isme likhe har vakaie ki sachai hamare samne ayegi " ajay ne sharma ke samne rakhi file uthai.

" sach hamesha samne hota hai par vo har kisi ke liye nahi hota " Awaz na ajay ki thi na sharma ki, dono awaz ki taraf dekhne lage.
 
Back
Top