sexstories

Administrator
Staff member
Mohabbatein...

Kya bolti XF ki public sab maje main hai na?? Badhiya hai stay home stay safe kyuki uske alawa kuch kar bhi nahi sakte abhi,
Ye kahani main Xossip par suru ki thi lekin khatam hoti usse pehle hi server hi band ho gaya fir hamara bhi kaam ke chakker main mood na hua lekin ab jyada kaam bhi nahi hai aur samay ki kami bhi nahi hai to is kahani ko fir se suru karne ja raha hu aur aap sab logo se sahyog ki umeed karta hu.
Asha karta hu aap logo ko ye kahani pasand aayegi.....

Aapka,
Adirshi
 
Ishq ,pyaar mohabbat in sab bato par mera bilkul vishwas nahi hai ya yu kahe to jyada acha hoga ke dil tootne ke sath sath jo viswas mohabbat is lafz main tha na wo bhi mano toot gaya hai. Mera manna ye hai ke jindagi ek action movie ki tarah hai har pal bhag daud har pal ek jung hai romanch hai. Meri stratagy ab simple hai pyar commitment inme kuch nahi rakha hai bas sidhe shadi manao aur khush raho lekin ye jindagi aapke banaye usulo aur niyamo par nahi chalti janab yaha jab jab jo jo hona hai tab tab so so hota hai aur isi baat ko sabit karte huye meri jindagi main bhi kuch aisi ghatnaye ghati jinhone mujhe fir se pyar par bhorosa karna sikhaya.
Aisa nahi hai ke mujhe ishq se aitaraj hai balki main to khud iska kayal ho chuka hu lekin jab dil toota aur wo mujhe chod kar chali gayi na tab samajh main aaya ke ye sab bakwas hai aapke liye aapka carrier hi sabkuch hai .
lekin janab aap kitna hi sochlo kitne hi usool aur niyam bana lo ye kaynat aapse wo karwa hi legi jo wo chahti hai.........

ye meri kahani hai.......................
 
[color=rgb(40,]Update 1[/color]

[color=rgb(40,]ujjain shahar mahakal ki nagri jaha 12 hi mahine bhole ke bhakto ka dera jama hua rehta hai. shahar se behti huyi shipra nadi apne aap main hi bhartiya sanskruti ki dharohar hai. to aaiye chalte hai isd shahar ke wasi gajendra singh chauhan ke ghar jinke purwaj jo the wo maharaj vikramaditya ke darbari the isiliye purvajo ka kamayahua man samman aaj bhi gajendra singh ji ne tikaya hua hai. ye apne ghar se bhi kafi sampann hai itne ke agar kuch na bhi kare to bhi bhar pet kha kar apni jindagi basar kar sakte hai magar inhone aisa nahi kiya balki IAS bane aur apni naukri ke dauran inka kafi jagah transfer bhi hua jinme mukhya roop se main mumbai ka naam lena chahunga jaha we kafi samay rahe aur isi ke chalte inke vichar bhi kafi adhunik hai filhal to ye retair ho chuke hai aur ujjain main hi apne purvajo ka karbhar sambhalte hai to aaiye milte hai inke pariwar se.........
is waqt subah ke kuch saat baj rahe hai aur gajendra singh ji jo hai wo mahakal ke darshan kar kar apne ghar main aa rahe the
"aa gaye aap aaiye main abhi apke liye chai nashta lagwat hu"[inse miliye janab ye hai is ghar ki home minister shanti devi gajendra singhji ki dharm patni inka swabhav bhi bilkul inke naam jaisa hi hai ekdum shant]
shanti devi-rashmi bete tumhare pitaji aa gaye hai mandir se uske chai nashta bana ya nahi
"bas maaji ban hi gaya abhi lati hu"[inse miliye ye hai is ghar ki badi bahu rashmi jo ki apne ghar ke sath sath apna kaam bhi badi bakhubi se sambhalti hai. Sahi samjhe rashmi apne pati ke business main unka hath batati hai]
"Rashmi mera bhi chai nashta lagwa do"[lo bhai naam liya banda hajir ye hai aloknath is ghar ke bade bete aur rashmi ke pati par inke naam par mat jaiye inka naam sir aloknath hai halanki bande ka swabhav bilkul viprit hai inki ujjain main bahut badi jewellery shop hai jise ye aur rashmi mil kar sambhalte hai]
Rashmi-ji bas abhi lagwati hu
Alok-pranam pitaji
Gajendra singhji-khush raho aur batao kya karyakram aaj ka
Alok-ji aisa to kush khas nahi hai pitaji roj ka hi routine hai bas naha kar dukan jana hai
Tb tak rashmi ne alok aur gajendra singhji ka nashta unki haweli ke lawn main hi lagwa diya tha aur wo dono nashta kar hi rahe the ke ek chahchahati huyi chanchal si college ki ladki bahar aayi
"Good morning pitaji, Good morning bhaiya"[ye hai gajendra singhji ki sabe choti aur sabse pyari santan nandini jo ki abhi college main padhti hai]
Gajendra singh, alok- good morning
Gajendra singh- princess kaha jane ki tayari hai subah subah
Nidhi-aur kaha jayenge pitaji college ja rahe hai
Alok-waise tera bhai neend se jaga ya nahi
Nidhi-hame nahi pata bhaiya chalo bye hum chele hamare college
Fir alok bhi nashta khatam karke rashmi ko sath le kar apne bhai ke kamre ki or chal diya .
Jaise hi wo dono kamre main paguche to un dono ke kano main jagjeet singh ki madhur awaz sunai padi aur kamre main ek table alok ka bhai kuch likh raha tha to alok uski or chal pada
Alok-kya likh rahe ho omkar
"Kisi ki yaado ko bhulane ki koshish jari hai bhaiya"inse miliye janab ye hai hamare kahani ke nayak omkar singh peshe se ye janab lekhak hai wo bhi crime oriented books ka waise to omkar mumbai main rehta hai par filhal apne ghar ujjain aaya hua hai aur ye janab kitab likhne ke sath sath har sunday times of india ke liye articals bhi likhte hai par haal hi main breakup hua hai isiliye dimag ki shanti ke liye ghar par aaye huye hai]
Rashmi-aise kyu bolte hai bhaiya jo bhi hua usme aapki galti to nahi thi na wo aapko chod kar gayi hai aapne use nahi choda
Omkar-hmm aap sagi keh rahi hai bhabhi aapko pata hai same yahi khayal mere dimag main bhi aaya tha aur isiliye to jagjeet sahab ko sun raha hu
Alok- chalo acha tum batao tumhari agli kitab kab aa rahi hai market main
Omkar alok ko jawab dene hi wala tha ke uska phone bajne laga usne phone dekha to phone uske media manager aur khas dost ashish ka tha
Omkar-ha ashish bolo
Ashish-kaha ho bhai wapis kab aa rahe ho tumko pata hai na ke tumhari pustak ka vimochan (book inauguration) hai 2 din baad
Omkar-ha bhai humko yaad hai hum pahuch jayenge thik hai chalo rakhte hai
Omkar-lijiye bhaiya aa gaya aapke sawal ka jawab 2 din baad book ka inauguration hai
Alok-are wah ye to bahut badhiya baat hai
Omkat-aur usike liye mumbai ke liye nikalna hai
Alok-main tumhari plane ki tickets book kiye deta hu
Omkar-nahi bhaiya uski jarurat nahi hai main car se jane wala hu by road
Rashmi-are par.....
Omkar-bha hi aap kyu chinta karti hai mujhe adat hai
Aur fir omkar bahar aa gaya aur phone par huyi puri baat apne pitaji aur maa ko batayi
Gajendra singhji-are waah bete tumhari chauthi kitab aane wali hai badi achi baat hai kab nikal rahe ho mumbai ke liye
Omkar-kal subah pitaji
Shantidevi-plane se hi ja rahe ho na
Omkar-maa aap to janti hai mujhe by road jana hi acha lagta hai main meri car lekar hi jaunga
Shantidevi-acha thik hai par aaj shaam ko mahakal ke darshan jaroor kar aana
Omkar-bilkul jaisa aap kahe
Shaam ko omkar apni maa ke kahe anusar mahakal ke darshan kar aaya aur jab shaam ko ghar lauta to use nandini ki khilkhilati awaz aayi
Nandini-aur lekhak mahoday suna hai aapki chauthi book aa rahi hai market main
Omkar-ha sahi suna hai
Nandini-kya yaar bhaiya aap hamesha crime books hi likhte ho kabhi koi romantic tale bhi likho
Omkar-sochenge....
Halanki omkar sabse to has kar bate kar raha tha par asal baat to ye thi ke uski pichli kitab puri tarah flop ho gayi thi par wo kahani aapko aage pata chalegi
[/color]
[color=rgb(40,]Agle din omkar sabse vida lekar apni car se mumbai ke liye ravana ho gaya...........[/color]
 
Update 2

omkar usi din raat tak mumbai pahuch gaya tha drive karke kafi thaka hua hone ke karan wo apne ghar main guste apne kamre main jakar so gaya kuki kal ka din uske liye kafi bada tha...
agle din..
south mumbai main ek bade se book store ke samne ek metallic grey color ki honda city car aakar ruki uski car main se ek 26-27 saal ka ladka bahar aaya.usne gadio ke color se hi mel khata hua ek grey color ka jacket pehna hua tha pair main crocodial shoes the usper barik frame ka goggle aur balo main gel. wo koi or nahi balki apna omkar tha. omkar aage badka aur boy ko valle ko gadi park karne ke liye gadi ki chabi di aur aage badha.
waha us book store main ek kone main 10-12 log jame huye the jinhe dekh kar omkar ke chehre par ki smile thodi kam ho gayi. omkar ko dekh kar gale main ek bada sa I-card dale huye ek banda uski taraf badha usko dekhne se lag raha tha ke usi ki taraf is program ko sambhalne ki jimmedari ho
"wel come omkar sir, welcome"wo banda omkar se hath milate huye bola
omkar- are ye kya hai chandan bas itne hi log
omkar kuch naraj sa lag raha tha.
omkar ek naya naya famous hua writer tha ek hi saal main publish huyi huyi uski do book ek dum super hit sabit huyi thi. crime stories ka naya ugta hua tara bol kar faomus publisher chandwani ka award bhi use mila tha.pahile bank robbary aur dusre kidnaping par based omkar ki dono book hato hath bik gayi thi. omkar ki book akhri moment tak pathako main utsah banaye rakhte the par us hisab se omkar ka tisra book hona utna hit nahi hua tha aur aaj uska chautha book launch hone ja raha tha.
lekin is baat ke liye waha jama 10-12 logo ko dekh kar omkar kuch nirash ho gaya tha
omkar-chandan....bas itne hi log hai?
chandan-I m sorry sir advertise to bahut ache se kiya tha ....lekin...aayenge sir aur bhi log aayenge
chandan thoda utsah dikhate huye bola
omkar-ok anybody from media?
chandan-no sir
omkar- ok where is ashish
chandan- sir wo aa rahe hai maine unko bata diya hai aap aa gaye ho wo wo secone flore par hai bas aate hi honge.
omkar-well den should we proceed??
chandan-one second sir
aisa bol kar chandan ne kisi ko phone lagaya
chandan-omkar sir is making entry spot light and claps please
aur kuch 2 second ruk kar usne omkar ko chalne ko kaha aur isi ke sath ek bada spot light omkar par aakar ruka jiske sath sath neeli sadi main khadi ek ladki ne announcement ki aur kuch gini chuni taliyo ke awaz ke sath omkar stage par chadha.
samne baithe logo main jada koi utsahi nahi dikh raha tha pehli line main to 2-4 pensionner hi aakar baithe huye the jinhe dekh kar omkar ko ek wakya yaad aaya jaha aise hi ek budhe insan ne use uski book main ke hotr scenes ke bare main kuch bate sunai thi aur usse kuch bhi sabak liye bagair uske is book main bhi hamehsa ke hot scenes dale hi the. jaise jaise omkar hi najar aage badhi to aage kuch college friends ka group baitha hua tha bas itne hi log the
omkar- thank you my friends
omkar ne mic apne hath main lekar bolna chalu kiya
omkar-mujhe pata hai ke mujhe aane main thodi der ho gayi hai uske liye dil se sorry. meri pichli teno book ko jo aaplogo ne pyaar diya hai is book ke sasth bhi waisa hi hoga yahi asha hai meri is book main aapko murder ,kidnapping romance sab kuch dekhne ko milega............
omkar bhar bhar ke apni book ki tarif kiye ja raha tha tabhi uske phone par ek sms aaya usne sms khol kar dekha to wo ashish ka tha
"om jyada samay mat lagao warna jo jame hai wo log bhi chale jayenge ye sab jaldi khatam karke uper aao chandwani saab tumhari rah dekh rahe hai"
omkar ne message padh kar uper ki or dekha tyo second folr ki lobby purane ajay devgan ke jaise hairstyle wala ashish khada tha
.
ab ashish bologe to omkar ka sabse karibi dost jo dost hone ke sath satrh omkar ka maneger bhi hai jo om ki sari publications,meetings media connections sab handel karta hai usne omkar ko jaldi uper aane ka ishara kiya aur fir omkar ne apne sane jama logo se kaha
omkar- so friends here wo go......
aur fir usne apne book ko launch kiya
omkar- fiends sirf aaj ke din ke liye is book par 30% discount hai aur sath hi jo log abhi is book ko kharidte hai unhe meri sined copy milegi iski bhi vyavasta hai main abhi yahi hu
launch khatam, karke omkar kone main ek table par jakar baith gaya. waha jama logo main se sirf do ladkiyo ne book kaharida aur chup chap omkar ki sign lekar waha se chali gayi jiske baad usne ashish ko phone lagaya
omkar-hello...ashish....are ye kya hai bhai......itna thanda response....sirf ek book bika hai
ashish-tu wo chod aur uper aa chandwani saab wait kar rahe hai
omkar-par kyu maine to unko pehle hi bata diya tha ke mujhe unke offer main koi interest nahi hai.
ashish-ye dekh om tu please chidna mat . apna tiska book kuch khas nahi chala aur chauthe se bhi mujhe koi khas asha nahi hai
omkar- are par kyu pehli dono books kityna badhiya profit dekar gayi thi
ashish-kyu?? are ek tisre insan ki najar se padh kar dekh pura type-cast ho gaye ho tum. wohi khoon wohi mara-mari wahi sab kuch are predictable ho gaya hai ye aur tumko pata hai agar ye book nahi chali to humlogo ko kitna bada loss hoga
omkar- ha t wo tab ki tab dekhenge na abhi to us chandwani ko bhej de
ashish-dekho om adha ghanta ho gaya hai unke jais abada aadmi tumhari rah dekh raha hai ek baar mil to lo
omkar-par yaar mujhe love story likhne main koi interst nahi hai wo mera genre nahi hai
ashish-ye sab bate aamne samne bhi ho sakti hai tum uper aap pehle

ab to samne maujud log bhi chale gaye the omkar ne ek lambi saas li aur wo chandwani se milne ke liye second floor ki or badh gaya.....................
 
Update 3

omkar ne ek lambi saas kheenchi aur wo second floor ki or chal pada. second floor par ek sofe par sadharan 60 saal ki umra ka safed baal wala ek insan baitha hua tha aur unhi ke baju main ashish baitha tha omkar ko aate huye dekh wo sajjan khade ho gaye
chandwani- welcome young man welcome ....greetings from chandwani and chandwani publications on your new book
omkar-thanks a lot sir aap please baithiye na
omkar unse hath milate huye bola aur fir wo dono hi sofe par baith gaye
ashish-coffee???
omkar-no thanks ashish please tum bhi baitho aur bataiye chandwani sir aaj kya kaam nikala
chandwani- kaam kuch alag nahi aur wohi jiske bare main humne pichle baar baat ki thi
aisa bol kar unhone apne coat ki jeb se ek white color ka envelop nikala aur omkar ko diya
omkar-ye kya hai??
chandwani- see it yourself young man
omkar ne jaise hi wo envelop khola to usme uske naam ka ek lakh rupaye ka cheaque tha
chandwani-advance hai aur baki ki terms main ne ashish se discuss kar li hai
omkar-but sir love story mujhe nahi jamegi..aur ..usme bhi meri personal life..
chandwani-ha main janta hu ashish ne mujhe sab bataya hai par mujhe lagta hai tum likh sakte ho tmhari writing skills mujhe kafi pasand aayi hai aur sabse badi baat mere khayal se tumhe bhi ek hit ki jarurat hai
omkar-mujhe...mujhe sochne ke liye thoda time chahiye sir
chandwani-mujhe ab commitment chahiye om maine kai dino tak rah dekhi hai..yes or no
chandwani bhi ab thode thode gussa hone lage the akhir itne bade publication ke malik the aur om kai dino se unko taal raha tha. mamla bigadta dekh ashish ne bolna suru kiya
ashish-take a break om kahi or dusri jagah jao jaha sirf tum ho is sab se dur tumhari sari personal problems se dur aur shayad waha tumhe tumhari love story mil jaye..chandwani is ready to sponser your trip.
omkar-ok mere paas ek deal hai..I will give it a try 3 hafte lekin agar in 3 hafto main kuch construtive nahi hua to main ye advande ka cheaque wapas kar dunga siway tour ke kharche ke wo chandwani ko khud bare karne badenge ok??
chandwani- deal!!
kuch pal sochne ke baad chandwani bole
omkar-great book me a villa in matheran waha complete silence hai
chandwani-matheran?? tum pagal ho kya are tumhe love story likhni hai medation par book nahi you mush go n some lively place. tum goa ja rahe ho kal subah tak main plane tickets aur hotel booking details ashish ko mail kar dunga
chandwani sofe par se uthte huye bole
omkae and ashish- thank you so much sir
chandwani- fall in love yong man and make us fall in love with your story
aur omkar ka khanda thapthapakar chandwani waha se chale gaye
omkar-kya baat hai yaar ek lakh
om ashish se bola
ashish-fir main to pehle hi keh raha tha are ye to sirf advance hai chalo coffee piyenge main tumhe bakike details batata hu
aur fir wo dono waha se nikal kar kisi coffee shop ki or chal pade...
------------------------------------------
omkar goa airport ke bahar aaya aur bahar aate hi samudra ki khari hawa us hawa main thodi si nami uski naak main ghusi. omkar ne aankhe band karke is hawa ko apne sahrir ki naso naso main basa liya ye hawa kuch alag thi shahar ka petrol ka pollution ka gandagi ka galli galli main khadi rehne wali khane ki gadiyo ki sab se waha ki hawa kuch alag thi .
kuch pal omkar us swarg jaisi feeling ka anubhav leta raha aur uski tandri tooti wo tourist taxi walo ke awaz se
"panjim...panjim.....mhapsa..mhapsa" yahi awaz pure parisar main goonj raha tha
omkar ne ek gehri saas li aur apni trooly bag lekar wo taxi main jakar baith gaya
"sir,first time in goa" driver ne omkar se pucha jispas omkar halka ka muskuraya aur driver ka na ki khoon ki jiske sath hi uski pichli goa trip ki yaade bhi taja ho gayi jab wo 6 mahine pehle apne 3-4 dosto ke sath goa aya tha aur unme se ek thi rima, omkar ki girlfriend.....tabki. ek mahine pehle hi omkar ka aur rima ka breakup hua tha.
Rima, ekdum smart, outgoing, professionaly ek pro-photographer aur omkar kuch gumsum akela rehne wala khud main hi khoya hua apne main aur apni kahani ke kirdaro main khoya hua.
ek book ke cover page shoot ke time omkar aur rima ki mulakat huyi aur wo kehte hai na opposite attracts bas usi law ke hisab se om aur rima ek dusre ki or khiche chale gaye. rima lagatar badbad karti aur omkar wo kaan sen matlab dinbhar rima ki badbad kush hokar sunta tha. rima ke clints uske photo shoot ke kisse wo sunta tha. dono ka acha chal raha tha dikhne main bhi dono ekdum perfect match the par hamesha shant rehne wale omkar ka rima ko ab gussa aane laga tha bol bol ke baat karne ke sare topics khatam ho gaye the to dono main bate bhi kam hone lagi thi. photography ke glamer aur bohot smart-dashing logo se rima ki nayi pehchan ho rahi thi aur unke samne use omkar kafi low-profile lagne laga tha bas fir kya tha dono main dono main choti-choti bato ko lekar jhagde suru ho gaye aur ek mahine main hi unke jhagde badh gaye aur donoi ka break up ho gaya.
rima us glamorous world main aaram se mix ho gayi lekin omkar jo pehle se hi shant tha weo aur bhi chup ho gaya aur shayad yahi karan tha ke uska tisra book hona utna popular nahi hua tha.

omkar ne apne phone ki photo gallary open ki aur rima ka photo dekhne main gung ho gaya...................
 
Update 4

omkar ne apne phone ki photo gallary open ki aur rima ka photo dekhne main gung ho gaya........

omkar ki tandri tab tooti ja taxi driver ne use hotel aane ka ishara kiya
taxi driver- sir..goan international, aapka hotel aa gaya hai. tab jakar omkar ne mobile main se apna sir bahar nikala aur taxi ki khidki se bahar dekhne laga to samne avadhavya goan international hotel khada tha. samne hotel ke parisar main alag alag rang ke zende hawa ke sath jhool rahe the. bade se faile huye landscape main tarah tarah ke phoolo ke jhad lage huye the aur samne hotel ke gate par traditional dress main pehredar apni badi badi mucho ke sath khade the.
omkar ne taxi ko meter ke hisab se pay kiya aur hotel ki lobby ki or gaya aur piche piche wo taxi driver uska saman lekar hotel main aaya
"good evening sir, hoe may I help you" mechenical awaz main ek receptionist ne omkar se pucha
omkar-mere naam se ek booking hai yaha, omkar the name
receptionist- one minute sir
aisa bol kar is receptionist ne apni ngliya us ke samne rakhe computer keyboard par chalayi aur kuch pal beetne ke baad usne om ki oir dekha aur "just a moment sir" bolke manager ke cabin ki or chali gayi. aur omkar wahi khada raha dhed ghante ki hi sahi par flight ke travel se use thakan lag rahi thi au ab badhiya hot-tub bath lene ke sapne dekhte huye wo waha khada tha.
kuch hi samay main wo receptionist aur uske piche piche us hotel ka manager bahar aayaaurusne ek najar computer screen par dali aur us receptionist se kaha
manager-check for the suits
receptionist-maine already check kiya hai sir kal subah ek vacant hoga lekin tab tak....
omkar-any problem???
omkar ne us receptionist se pucha
receptionist- sir...darasal jo room aapko allot hua tha usme kuch plumbing poblem hai .......bathroom kaam nahi kar raha hai aur pure room main pani bhara hai
omkar-oh...thats ok mujhe aap koi dusra room de dijiye main extra pay karne ko tayar hu
receptionist-no sir aapko extra pay karne ki jarurat nahi hai problem hamare side se hai. we will upgrade you to suits without any extra charge lekin.....
omkar-lekin....lekin kya
manager-sir..suits sabhi full hai infact all rooms are also accupied. suit ka bandobast sirf kal subah kiya ja sakta hai
omkar-to....matlab..mai ab kya karu ???sham ke 8:30 baj rahe hai
manager- we are sorry sir lekin problem hamare control se bahar hai
omkar-are par main tab takj kya karu mujhe kisi dusre hotel main booking dila do
manager- sorry sir but hamara kisi hotel ke sath tie-up nahi hai
omkar- this is rediculas and unprofessional mujhe meri booking abhi ke abhi cancle karni hai and please return the amount paid
ab omkar ko gussa aane laga tha
manager-hum aapki pareshani samajh sakte hai sir
omkar-nahi aap nahi samajh sakte meri bookings cancle kijiye
receptionist-ok sir please be sited
itna bol kar usne omkar ko lobby main rakhe sofe par baithne ka ishara kiya. omkar ka dimag kafi gusse main tha itna bada international hotel aur sadha plumbing ka problen solve nahi ho raha tha. omkar paas hi khade taxi driver ki or muda
omkar-luggage gadi main rakho hum dusre hotel chalenge
taxi driver-kyu sir kya hua
fir omkar ne us driver ko hua hua sara kissa bataya jisparusne bas itna hi kaha
taxi driver- sir booking cancle mat maro chahiye to aaj raat ke liye kahi rah lo abhi season hai to booking milna mushkil hai baki jagah
omkar-are kya ulta off season hai abhi to diwali ka season khatam hua hai kahi na kahi to booking mil hi jayegi
taxi driver-sir aajkal goa main saal bhar gardi rehti hai usme bhi christmas sar par hai
"sir your refund" wo dono baat hi kar rahe the ke us receptionist ne ek white envelop omkar ki or badhaya aur omkar ne wo packet liya aur waha se sidha bahar nikal gaya aur agla dedh ghanta wo us taxi driver ke sath hotel ki talash main ghoomta raha lekin use kahi bhi booking nahi mili om ne ghadi par najar dali to raat ke sadhe 10 baj rahe the
omkar-driver koi chata hotel hoga to dekh raat ke liye main thak gaya hu ab
driver-ji sir mera ek paichanwala hai usse bata karta hu
itna bolkar us driver ne apne dost ko phone lagaya aur do minute baat kar ke omkar se bola
driver- chaliye sir kal sham tak ke liye room ka bandobast ho gaya hai
aur itna bol kar gai aage badha di aur kuch adhe ghante baad taxi shahar ke bahar kisi sunsan ilake main ek puranibuilding ke samne khadi thi jiske niche ke medical shop tha us building ko dekhkar omkar ne sawaliya najrio se drier ki or dekha
driver-kal sham tak saab abhi koi dusra nahi milega kal subah dusri jagah dhoond lijiyega.

marta kya na karta omkar ne us driver ko paise diye aur apna saman le kar us hotel main chala gaya aur recepionse apne kamre ki chavi lekar apne kamre main pata nahi ye goa ki trip use aur kya kya dikahne wali thi............
 
Update 5

Dinbhar ki is puri bhagdaud ke bad omkar ka sar buri tarah dukh raha tha usne apne kamre ka darwaja lock kiya aur niche medical shop pe aaya jaha se usne ek pani ki bottle aur dawai kharidi aur wahi samne rakhi ek bench par baith gaya dawai lene itne main hi ek ladki us dukan main aayi neele rang main range huye baal safed t-shirt maili jeans hatho main alag alag rang ki designer chudiya ,pith par ek choti bag hotho par ekdum dark lal rang ki ipstisk aisa uska vichitra avtar tha wo dukan main apne mu par hath rakh ke hi enter huyi thi

dukandar-kya chahiye
ladki-kuch ajeeb sa ulti jaisa lag raha hai koi dawai dijiye
chemist ne use ek dawai nikal kar di lekin us ladki ne ye keh kar wo wapas kar di ke wo dawai wo le chuki hai aur aisa hi aur dodawaiyo ke sath bhi hua aur akhir main us chemish ne us ladki se pucha ke tumko actually kya ho raha hai tab usne jawab diya
ladki-pata nahi sarbhari main pet main jalan ho rahi hai aur ulti jaisa lag raha hai
ladki ki baat sun kar us dukan wale ke ek baar omkar ki or dekha aur fir dheere se us ladki ko pucha
chemist-periods miss ho gaye hai kya??
chemist ki baat sun kar us ladki ko thoda gussa to aaya lekin sath hi dar ki ek lakeer bhi uske chehre par saaf dekhi ja sakti thi chemist ne almari main se ek box nikal kar use diya aur bola
chemist-piche ke side main ek bathroom hai jaiye pregnency check kijiye
us ladki ne bhi omkar ko dikhe na aise tarike se us chemist se liya aur uske bataye direction main chali gayi aur uske jane ke baad wo chemist omkar se bola
chemist-tumko aur chahiye kya kuch
omkar-nahi..aur kuch nahi chahiye
chemist-to chalo jao fir
omkar-nahi wo aage kya hota hai wo dekh liya hota to
chemist-tumko kya karna hai jaan kar sarko jaha se
omkar-ha bas ja hi raha hu
itna bol kar omkar jane ke liye utha hi tha ke wo ladki fir se bhagte huye dukan main aayi aur table par wo box rakh ke fir se bahar bhag gayi aur uske piche piche wo dukandar bhi bhaga.wo ladki bahar ja kar road ke saide khadi ho kar ultiya kar rahi thi. omkar ne jaldi se table par rahi pregnency kit khol kar dekhi to result negetive tha usne fir se wo kit table par rakhi ek nigah us ladki par dali aur wo apne room ki or jane laga lekin wo 1-2 seedhiya chadha honga ke us dukandar ka use awaz aaya wo ladki jo ultiya kar rahi thi wo ab behosh ho chuki thi omkar bhagte huye uske paas gaya
omkar-k..kya hua
dukandar-inko chakker aa gaye aur ye gir gayi
omkar-are baapre kisi hospital main phone kariye jaldi
dukandar-yaha koi dawakhana nahi hai koi 20-25 km ki range main kahi nahi
omkar-fir..ab kya karna hai
dukandar-aap yahi hotel main ruke hai na
omkar-ha
dukandar-to ek kaam kijiye ise apne room main lejaiye mujhe lagfta hai kamjori se chakker aa gaye honge 10-15 min main hosh aa jayega fir chali jayegi
omkar-are aise kaise main nahi janta isko aur uska huliya to dekho call- girl huyi to
dukandar-thik hai fir rehan do yahi mujhe bhi der ho rahi hai dukan band karke ghar jana hai
omkar-lekin ise yaha aise chodna
dukandar-main bhi to wahi keh rha hu sir samajhiye
jaise taise fir omkar mana aur us ladki ko apne hotel ke kamre main le aaya aurt us ladki ko sofe pe dhakal diya. omkar ka sar solid dukh raha tha usme bhi us ladki ko seedhiya chada kar uper lane main uski halat kharab ho gayi thi apna sar pakad kar wo kurchi par baith gaya tabhi uska phone bajne laga
char galiye bakte huye usne phone uthaya
"omkar sir ..ashish bol raha hu..kais hai goa"
omkar-thi..thik hai
ashish-are kya hua tu itna haaf kyu raha hai sb thik hai na
omkar-ek min mujhe thoda pani pine de fir baat karta hu
fir om ne pani piya jiske baad ashish ne bolna chalu kiya
ashish-sab theek hai na bhai hotel acha hai na
omkar-mera mu mat khulwa us hotel ka naam lekar
aur fir om ne ashish ko puri baat batayi
ashish-iski maa ka!! matlab wo ladki is waqt tere room main hai
om-hao na bate abkya karte majburi hai be usko akele raste par nahi chod sakte
ashish-abe wo chod aur bata wo dikhne main kaisi hai
omkar-abe chod na meko to call girl lag rahi hai hosh main aate hi bhaga dunga
ashish-main kya bolta hu thoda time de.......
omkar-oh shit!!!! abe ashish abe kuch to jhol hai
ashish-kyu kya hua
omkar-abe us ladki ke baal nakli hai be uske neele baal ek side nikal rahe hai be aur...
ashish-abe aisa ruk mat bhai bol
omkar-maa ki aankh ashish iske gale main to mangalsutra hai benchod ye married hai bhai
ashish-bhai meko lagta ye ghar se bhagi huyi case hai hai isiliye aisa gateup hoga
omkar-sahi bol ra bhai tu
ashish-bhai meko lagta teko teri story mil gayi stay with her aur pata laga kya jhol hai
omkar-oye please meko ye 'dil hai ke manta nahi' ' jab we met' jaisi kahani to bilkul nahi likhni hai
ashsih- bhi uski purse check kare dekh kuch licence waigera milta kya
omkar-good idea hold kar

aur fir om dheere us ladki ke paas pahucha aur uski purse khol kar dekhne laga aur thik usi waqt us ladki ko bhi hosh aa gaya ye baat om ke dhayan main nahi aayi us ladki ne om ke hath se apna purse cheena aur usme se koi spray nikal kar om ki aankhon main mar diya isse om ki aankho main bohot jalan hone lagi. us ladki ne om ko jor se diwal par dhakela aur apna purse utha kar waha se bhag gayi diwal par sar lagne se om bhi behosh ho gaya aur ashish jisko is bare main kuch pata nahi tha wo bas phone par hello hello karta raha..........
 
Update 6

om dheere us ladki ke paas pahucha aur uski purse khol kar dekhne laga aur thik usi waqt us ladki ko bhi hosh aa gaya ye baat om ke dhayan main nahi aayi us ladki ne om ke hath se apna purse cheena aur usme se koi spray nikal kar om ki aankhon main mar diya isse om ki aankho main bohot jalan hone lagi. us ladki ne om ko jor se diwal par dhakela aur apna purse utha kar waha se bhag gayi diwal par sar lagne se om bhi behosh ho gaya aur ashish jisko is bare main kuch pata nahi tha wo bas phone par hello hello karta raha..........
-------------------------------------------------------------------------
"om kuch to bolo aise chup chap to mat baitho" ye rima ki awaz thi jo omkar se kuch keh rahi thi

omkar-kya karu main fir chup chap na rahu to tumhare jaisa tumhare jaisa frustate ho jau

rima-frustate?? om main sirf baat kar rahi hu

omkar-ek hi baat hai

rima-om please sach sach batao tumhara problem kya hai? tum aise kyu behave kar rahe ho ? meri kuch galti hogi to wo batao aise chup reh kar kisi cheez ka hal nahi nilakne wala

omkar-sahi hai rima chup reh kar kisi cheez ka hal nahi nikalta aur mujhe is cheez ka hal nikalna bhi nahi hai meri agar galti hai to main itne din chup raha lekin...

rima-ohh matlab tumhara bolna hai ke ho bhi hua meri wajah se hua aur tum 100% sahi ho righr?

omkar-kon sahi kon galat mujhe is pachde main nahi padna hai rima meri bas itni hi ich hai ke jaisa maine tumhe samajh ke liya hai waisa tum bhi karo.manya hai ke kai baar tumhari parties main main akela kisi kone main baitha rehta tha lekin main ek wreiter hu kai baar aage ki kahani mujhe time bata kar nahi sujhti aur aise main mujhe sahi main ekant chahiye hota hai. kai baar hum agar kisi khoobsurat jagah par ghoome gaye to tum bhi to photography main leen h jati thi but main samajhta hu ke camera is your field ......

rima- enough om mujhe lagta hai hum is baat par chahe kitni bhi der lad le isme se koi outconi nahi niklega mujhe lagta hai hame yahi rukna chahiye tumhe tumhara rasta khula hai aur mujhe mera....

rima ke is vakya ke omkar ka man vichlit ho gaya rima ko rokna hamesha ki tarah manane use baho main bharna ye sab om ki aankho ke samne ho raha tha aur use ye bhi pata tha ke hamesha ki tarah mona is baar bhi ruk jayegi aur dono ka jhagda khatam ho jayega lekin aage future main kabhi na kabhi dono ke swabhav ka farak fir dikhega aur fir yahi sab hoga aur waise bhi pichle kuch mahino main dono main jhagde badh gaye the jispar om ko koi upai nahi soojh raha tha.................

shayad rima keh rahi thi wohi sahi rasta tha...........
omkar kuch nahi bola

rima-allright mr.writer...goodbye den........

rima ne ghar ka darwaja khola. ekbar omkar ki taraf dekha aur jor se darwaja laga kar chali gayi..
-----------------------------------------------------------------------
darwaje ke awaz se omkar ekdum need main se utha apan kaha hai kis halat main hai ye kuch bhi uski samajh main nahi aa raha tha. raatko diwal par sar takrane ke wajah se wop jo behosh hua tha wo ab jaga tha aur usi behoshi ki halat main uske dimag main uske aur rima ke breakup ke scenes chal rahe the. omkar ka sar ab bhi kafi dukh raha tha.

"sir , breakfast ready hai " bahar koi darwaja jor se pit raha tha

omkar-hmm..yes aa raha hu

aisa bol kar omkar utha diwal ke sahare basin ke paas pahucha aue 5-6 baar apne chehre par pani marne ke baad use acha laga. usne ghadi par najar dali to subah ke 8:30 baj rahe the aur room chodne ke liye 2 ghante ka samay baki tha. goa main aane ke baad uske sath koi baat sahi nahi huyi thi pehle wo international hotel ka ghotala aur fir wo rang birange kapde pehne ladki omkar ko to aisa lagne laga tha ke usne goa aakar hi galti kar di.
jaldi jaldi naha kar omkar bahar aaya aur waha ke khane ke items dekh kar hi usne bagair breakfast kiye wo room chod di aur apna saman lekar road par taxi ke liye rah dekhne laga. pet main bhookh ke mare chuhe kud rahe the om main goa main aane ke baad kuch bhi nahi khaya tha isiliye usne socha ke pehle petpuja uar fir hotel ki shodh mohim aur isi vichar ke sath usne milihuyi taxi market ki or modne ko kaha. raste main ek acha sa hotel dekh kar om waha ruka aur ek kone ka table pakad kar fatafat nashte ki order di. ache se daba ke nashta karne ke bad uska dimag kuch shant hua aur fir uske baad usne strong coffee ke do cup khali kiya aur teesra hath main lekar kurchi par aaram se baitha aur do pal ke liye apni aankhen band ki. uski tandri khuli wo girte huye bartano ke awaz se usne aankhen khol kar dekha to ek ladki hotel main aate huye ek waiter se takrayi thi

"sorry.....sorry...I m extremly sorry" wo ladki bar bar waiter wo bole ja rahi thi

pile rang ka pkulo ke design wala long skirt . uper navy blur color ka short shirt. lambe kale baal. aankhon par moti frame ka goggle kandhe par ek shoti si sack aur hatho main papers ke gatthe wali files.

om bas us ladki ki or hi dekh raha tha
"kar de apni mohabbat main madhosh is tarah ki,
hosh bhi aane se pehle ijjajat mange.."
ye lafz pne aap hi omkar ke mu se nikal pade. hawa se udne wale apne balo ko sambhalne ke liye jab us ladki ne apne hath uper kiye to uska shirt bhi thoda uper utha jiske sath hi om ko uske navel bhag par bana tatoo dikha

"radha....."
bansuri ke sath likhi huyi ye akshar om ko diana karne ke liye kafi the

omkar-rdha...om ki radha....

omkar khud se hi badbada raha tha najane kitni der wo aise hi ek tuk radha ko dekhta raha tabhi radha ki najar uspar padi aur achanak se om ko apni chori pakdejane ka ehsaas hua aur usne apni najar dusri or fer li lekin aankho ke kone se usne dekha ke wo ladki usi ki or aa rahi hai

omkar- abe yaar ye pehchanti hai kya meko?? ye idhar kyu aa rahi hai

aise aneko khayal usne man main aaye aur wo thoda ache se baitha....................
 
Update 7

omkar khud se hi badbada raha tha najane kitni der wo aise hi ek tuk radha ko dekhta raha tabhi radha ki najar uspar padi aur achanak se om ko apni chori pakdejane ka ehsaas hua aur usne apni najar dusri or fer li lekin aankho ke kone se usne dekha ke wo ladki usi ki or aa rahi hai

omkar- abe yaar ye pehchanti hai kya meko?? ye idhar kyu aa rahi hai

aise aneko khayal usne man main aaye aur wo thoda ache se baitha....................
----------------------------------------------
"excuse me" omkar baitha tha us table ke paas aakar wo ladki boli

omkar-yes.....

apna us ladki ke bolne ki taraf bilkul dhayan nahi tha aisa jatate huye omkar bola

ladki-agar yaha koi baitha na ho to kya main yaha baith sakti hu

omkar-oh..yes..yes why not..please

wo ladki samne ki kurchi sarka kar waha baith gayi aur apne haat main ke papers aur files waha rakh diye aur fir omkar se boli

ladki-hi I m radha

omkar-I know!

omkar ki is baat kar us ladki ke expressions dekhne layak the aur jald hi omkar ko bhi apni galti dhayan main aa gayi lekin ab usne us ladki ke tatoo par se uska naam jana ye baat wo derectly to nahi bol sakta tha na aur isiliye usne baat sambhalne ki koshish karte huye bola

omkar- matlab abhi tumne hi bataya na

radha- oh ha hihihi.........

omkar- I m omkar

aur ab wo bhi I know bolegi aur fir main tumhari writing ki fan hu wagaira wagaira bolegi aisa omkar ko lag raha tha lekin isme se kuch nahi hua uska baat kuch aur hi nikli

radha-mujhe lagta hai tumne mujhe pehchana nahi.

omkar- nahi..matlab hum pehle kabhi mile hai kya?? I m sorry lekin mujhe kuch bhi dhayan main nahi aa raha maine nahi pehchana aapko

omkar apne dimag main apne sare e-mail karne wale fan apne publication ke time mile huye fans ko yaad kar raha tha lekin unme se radha naam kisi ka bhi nahi tha sivay iske agar wo mile hote to wo us ladki ko dekhte hi pehchan jata

radha- ok never mind mujhe actually tumse mafi mangni hai....

omkar-mafi mujhse?? par kyu???

radha- kal raat...wo medical store.....tumhari room.......tumhari aankhon main spray...wo..wo....wo ladki mai hi thi

omkar-what!!!

omkar table par hath marte huye jor se chillaya jisse radha bhi thodi embarass feel kar rahi thi

radha-cool down......... cool down .....I said I m sorry

omkar- hoe dare you?? ek to tumko raat main akeli ko raste pe chodna theek nahi hoga isiliye main tumhe apne room par le gaya aur tum...

gusse ke mare omkar ke mu se shad nahi nikal rahe the

radha-I m really sorry omkar sahime koi galat femi thi actually tum jab mujhe room par lekar gaye tab main bekhosh thi aur jab hosh aaya tab tum adhe mujhpar jhuke huye the mujhe laga ke.....

omkar- kya laga main tumhara rape karunga

radha-ha....matlab

omkar-ha?? get lost....get lost from here

radha-omkar please main sahime dil sesorry bol rahi hu

omkaar ke hatho par hath rahte huye radha boli aur uske us ek sparsh se omkar ke sabhi sences ekdum shant ho gaye jais ekoi thandi hawa ka jhowka uske sharir ko chu kar gaya ho

radha-lekin tum khud hi socho na ek to pehle hi main puri tarah hosh main nahi thi uspar wo andheri room aur samne ek anjaan shaks jo mujhpar adha jhuka hua tha main...main bohot ghabra gayi thi

omkar-hmm its ok.....lekin tumhe kaise pata chala ye sab

radha-wo...kya..hua ...na

omkar-na atko mat khul kar bolo aur kya kand kiya tumne

radha-aaj subah main polce ko lekar gayi thi waha kal huyi ghatna ki complent ki thi maine police station main

radha ki baat sunkar om ne sidha apne sar par hath maar liya

omkar-height hai yaar you are just horrible!!

radha-matlab maine aise hi chod dena chahiye tha kya so main waha police ko lekar gayi to wo medical wala mila aur usne mujhe uri baat batayi aur maine instant complent wapas le li fir hotel se pata chala ke tum checkout kar chuke ho aur ab subah subah nastha ke liye jagah dhundoge aur waise bhi ye hotel yaha ke taxi wale prefer karte hai to socha ek baar yaha dkh lu tumhe aur tum mil gaye

omkar-aur suppose wo medical wala na milta to

radha- to kya abhi tumhare piche police hoti ya maybe tum jail main hote

omkar- thank god us bechare medical wale ke wajah se aaj jaan bach gayi warna tumhari krupa se to main jail main hota

radha- really sorry once again lekin kya karu duniya main achai se wiswas uth gaya hai mera

omkar-ye lekin main ne sachme tumhe nahi pehchana matlab raat ko wo rang birange baal wo shorts aur ab ye decent look

radha- are wo wig tha aur baki ka avtar bhi waise hi kiya tha

omkar-lekin kyu aise??

radha- its a bit personal kabhi fursat main lile na to bataungi

personal se pmkar ke dhayan main aaya wo mangalsutra aur usne radha ke gale ki or dekha to wo waha nahi tha

"I hope baki ki cheezo jaisa wo mangal sutra bhi nakli ho" omkar ne man main kaha aur radhausko jane ke liye bye bolne lagi aur jaise hi wo mudne wali thi uska dhayan omkar ke bag ki or gaya

radha-tum ja rahe ho goa se

omkar-nah..actually main kal hi aaya hu aur filhat 3 hafte yahi hu isiliye rehne ke liye jagah dhoond raha hu

radha-any prefrences matbal kaisi jagah chahiye

omkar-mm thodi shant matlab main ek writer hu aur yaha book likhne aaya hu

radha- wow yaar waie tumhara jagah ka problen main solve kar sakti hu matlab agar tumhe ok hai to ek hme stay hai main bhi wahi reh rahi hu

omkar-kaha hai

radha-old goa hai typical portugies style ghar hai tumhe acha lagega filhal waha do hi log hai main aur sofie aunty jo owner hai achi jagah hai

omkar-ok den done

aur fir omkar ne uske aur radha ke liye ek ek coffee order ki aur fir dono us ghar ki or chal pade sabse khas baat to ye ki ghar milne se jyada itni khoobsurat ladki aas paas ho to kise romantic story nahi sujhegi ye baat omkar ke man main aayi usme hotel ka bill pay kiya aur wo aur radha chal pade us ghar ki or..................
 
Update 8

radha- wow yaar waise tumhara jagah ka problen main solve kar sakti hu matlab agar tumhe ok hai to ek hme stay hai main bhi wahi reh rahi hu

omkar-kaha hai

radha-old goa hai typical portugies style ghar hai tumhe acha lagega filhal waha do hi log hai main aur sofie aunty jo owner hai achi jagah hai

omkar-ok den done

aur fir omkar ne uske aur radha ke liye ek ek coffee order ki aur fir dono us ghar ki or chal pade sabse khas baat to ye ki ghar milne se jyada itni khoobsurat ladki aas paas ho to kise romantic story nahi sujhegi ye baat omkar ke man main aayi usme hotel ka bill pay kiya aur wo aur radha chal pade us ghar ki or..................
--------------------------------------------------------------
"o anurag sir .......are kaha chal diye itne jaldi main??" ek ladka gadi main baithe dusre ladke ko awaz dekar rokte huye bola aur uska awaz sun kar anurag piche mud kar bola

anurag-are..manish what a pleasent surprise yaar mera dhayan hi nahi tha

manish-ha bhai bade log tum carodo ka business sambhalte ho hum chote logo par kaha dhayan rakhoge

anurag-manish ab maar khayega tu main kitna bhi bada aadmi ban jau dost to dost hi rahenge na tu bata kaisa hai tu?

manish-mainto ekdum majeme hu tu bata aur bhabhi kaha hai kahi dikhai nahi de rahi hai main ek do baar ghar par bhi gaya tha waha bhi tala tha maike gayi hai kya

manish ki baat sun kar anurag ka chehra thoda utar gaya thaaur wo chid kar bola

anurag-agar mayke gayi hoti to hi acha hota bhai

manish-matlab

anurag-wo anu ghar chod kar chali gayi hai

manish-kya?????kab????? kaha?????

anurag- ab tujhse kya chupana bhai teen hafte ho chuke hai..uske sare dost sare rishtedaar mayke wale sb jagah dekh liya pata nahi kaha gayi hai wo...

manish-iski maa ka lekin bhai police complaint wagaire ki hai na pata chala kuch galat ho gaya to

anurag-kuch nahi hoga be sidha sidha chitthi likh kar ghar chod kar ja rahi hu aisa bol kar gayi hai wo

manish-lekin kyu yaar?? anyway sorry to hear that

anurag-don't be chal main nikalta hu ab office ke liye late ho raha hai

manish-ok bhai kuch pata chala to batana ...bye

anurag-bye

aur aurag apni car main baith kar office ke liye nikal gaya. jis samay anurag apni car main baith raha tha usi samay omkar aur radha taxi main se niche utar rahe the omkar ne samne dekha to samne 1910 ke aas paas ka ek shaandar bangla khada tha

radha-see maine kaha tha tumko ghar dekhte hi pasand aayega

mkar ne taxi main se apni bag li aur bangle ka gate khol kar wo dono ander aaye radha ne use sofe par baithne ke liye kaha aur wo ghar ki owner ko lene chali gayi tabhi om ko ashish ka phone aaya aur bato bato main om ne use aaj subah ka pura kissa sunaya jise sunke ashish jor se haste huye bas itna bola

ashish-maa kasm.....kya solid shock laga hoga na teko

omkar-aur nahi to kya bhai agar koi dusra hota na to uska thobdahi laal karta mai lekin wo sahi main mast hai yaar

ashish-acha hai bhaiu 2 diun main achi pragati kar li tune hal kar enjoy aur ha ab story likhna suru kar de aur ha jab tu iski itni tarif kar hi raha hai to ek photo to bhej na bhai

omkar-BC ekdum se kaise photo kheech ka bhej du chal try karta hu ekhad selfie bhej dunga ab rakh phone

ashish-bye..

omkar ne jaise hi phone rakha waise hi waha radha sofie aunty ko le aayi aur fir kuch jyada khas baat cheet nahi huyi wahi formal bolchal sofie aunty ne omkar ka haal chal puch aur fir radha ki harkat ke liye mafi bhi mangi aur baad main radha omkar ko uska kamra dikhane leke chali gayi wahi dusri or anurag ne police station main inspector ko phone lagaya.

anurag-hello...inspector bhosle anurag bol raha hu........

anurag ki awaz main ek raub tha hukum tha

inspector bhosle- good afternoon sir.....

anurag- are kahe ki good afternoon tum batao anu ka kuch pata chala?? are 3 hafte ho chuke hai meri patni missing hai aur aap logo ko ek bhi lerad nahi mili hai ye baat ajab hai are aap ko pata hai is baat ki khabar agar media ko lag gayi to kya hoga??

bhosle-yes sir main janta hu hamara kaam chalu hai sth main aapka diya hua number bhi humne tracking ar lagaya hua hai lekin phone off hone se kuch pata nahi chal raha

anurag-main comissioner se baat karu kya tumko koi madad chahiye to batana

bhosle-uskli jarurat nahi hai sir mujhe jaise hi koi lead milti hai aapko batata hu

aur phone cut bhosle ki baat sun kar anurag ne ok bol kar phone kjaat diya aur phone cut hone ke baad bhosle ne ek baar phone ki taraf gusse se dekha aur jor se phone table par patak diya...

"kyu re bhosle kya hua" uske sath kaam karne wale sub.inspector kadam ne pucha

bhosle-are kya yaar wo anurag ki case inki patniya bhag jati hai aur ye hame dhoondne lagate

kadam-are par wo bhagi kaipe se uske area ka koi chota baccha bhi batayega ki pichla ek saal uske roj jhadde hote the aur uske ek naukar ne bataya ke wo anu roj roti thi. meko to lagta ye anurag ne usko mara hai aur gum ho gayi ya kahi bhag gayi ausa drama racha hai

kadam ki baat sun kar bhosle kuch bolne hi wala tha ke uska phone bajne laga...........................
 
Back
Top