[color=rgb(255,]Update - 01[/color]
[color=rgb(255,]_________________[/color]
Subah ke kareeb aath baje the.
Jailer shivkant wagle apne awaas ke baahar hare bhare lawn me rakhi ek kursi par baitha akhbaar padh raha tha. Ek hath me chaay ka cup tha jisme bhari chaay ko wo kuch der ke antraal me pi leta tha. Uska swaasthya kuch samay se thik nahi tha is liye wo chhutti par tha. Halaaki ab wo pahle se kuch behtar tha kintu uske adhikariyo ne use kuch din aur rest karne ke liye kaha tha.
"Ye tumhare hath me kya hai bahadur?" Savitri ki madhur awaaz se akhbaar padh rahe wagle ka dhyaan toota jiske chalte usne awaaz ki disha me dekha. Savitri ghar ke andar se nikal kar usi ki taraf aa rahi thi lekin ghar ke naukar bahadur ko dekh kar usne usse thithak kar puchha tha.
Wagle ne dekha uske naukar bahadur ke hath me peele rang ka koi parcel jaisa kuch nazar aa raha tha. Wagle samajh gaya ki uski khubsurat biwi ne usse usi ke bare me puchha hai.
"Pata nahi maalkin." Bahadur ne apni jagah par ruk kar usse kaha____"Abhi abhi ek aath das saal ka ladka ise liye mere paas aaya aur ise mujhe pakda kar bola ki ise jailer uncle ko de du."
"Badi ajeeb baat hai." Bahadur ki baat sun kar jaha wagle ke chehre par chaukne wale bhaav ubhar aaye wahi savitri ne sochne wale bhaav se kaha____"Koi aath das saal ka ladka aisi cheez tumhe pakda gaya aur tumne usse puchha bhi nahi ki isme kya hai aur wo inhe (Wagle) dene ko kyo bola tha?"
"Maine usse puchha tha maalkin." Bahadur ne safaai dete huye kaha____"Lekin wo bina koi jawaab diye lagbhag bhaagte huye waapas chala gaya."
"Ye to aur bhi ajeeb baat hai." Savitri ne socho ke bhaav liye wagle ki taraf dekha____"Aaj se pahle to aisa kabhi nahi hua ki kisi ladke ne is tarah se koi cheez aapke paas pahuchane ke liye bahadur ko di ho. Aakhir aisi kya cheez ho sakti hai isme? Kahi koi bomb womb to nahi hai isme?"
"Tum bekaar me hi itna soch rahi ho savitri." Wagle ne samaanya bhaav darshate huye kaha lekin man hi man wo bhi soch me pad gaya tha. Fir usne bahadur se kaha____"Ise table par rakh do bahadur aur andar se metal ditector le kar aao zara."
Wagle ke kahne par bahadur ne us parcel jaisi cheez ko wagle ke samne rakhi table par rakha aur bhagta hua andar chala gaya. Thodi der baad jab wo waapas aaya to uske hath me metal detector tha. Wagle ne usse metal detector liya aur use chalu kar ke us parcel jaisi cheez par ghumana shuru kiya. Savitri aur bahadur apni apni saanse roke wagle ke kriya kalaapo ko dekhte rahe.
"Hamne kaha tha na savitri ki tum bekaar me hi itna soch rahi ho." Kuch der baad wagle ne metal detector ko bahadur ki taraf badhate huye kaha____"Isme aisi koi khatarnaak cheez nahi hai jisse hame kisi tarah ka koi nuksaan pahuch sake."
"Fir bhi ye sochne wali baat to hai hi ki ek aath das saal ke ladke ne aisi cheez bahadur ke dwara aapko dene ke liye kyo kaha hoga?" Savitri ne kaha____"Aakhir kaun tha wo ladka aur kaha se aaya tha?"
"Hamara khayaal hai ki is parcel ke andar jo bhi cheez hai." Wagle ne sochne wale andaz se kaha_____"Use us ladke ke dwara kisi aur ne bhejwaya hai ham tak."
"Ye kya kah rahe hain aap?" Savitri ke sath sath bahadur bhi chaunka.
"Yahi sach hai savitri." Wagle ne samjhane wale andaz se kaha____"Tum khud socho ki ek aath das saal ka ladka aisi koi cheez kaha se aur kyo le kar aayega hamare liye? Zaahir hai us ladke ko ye cheez kisi aur ne hi di aur usne usse ye kah kar bahadur ke paas bheja ki wo ise hame de de."
"Agar aapki baat sach hai." Savitri ne uljhan bhare bhaav se kaha____"To fir is cheez ko kisne diya hoga us ladke ko? Kaun ho sakta hai wo?"
"Tum ye sab mat socho." Wagle ne sapaat lahje me kaha____"Ham dekhte hain kya hai isme."
Wagle ke kahne par savitri kuch der tak wagle ke chehre ki taraf dekhti rahi fir bina kuch kahe aa kar usne table se chaay ka cup liya aur palat kar andar ki taraf chali gai. Bahadur bhi waha se chala gaya.
Dono ke jane ke baad wagle ne table par rakhe huye us peele rang ke parcel ki taraf dekha. Man me kai tarah ke sawaal aur vichaar ubhar rahe the lekin wo bhi janta tha ki jab tak parcel ke andar ki cheez ko dekha nahi jayega tab tak pata nahi chal sakega ki aakhir ye sab chakkar kya hai. Ye soch kar wagle ne parcel ko hath me liya aur pahle use kuch palo tak tatola uske baad usne parcel ko kholna shuru kiya. Ek taraf jaha wagle ke zahen me kai saare khayaal ubhar rahe the wahi dil ki dhadkane bhi thoda badh gai thi.
Wagle ne parcel khola.
parcel ke andar maujood ek diary par nazar padte hi wo chaunka aur sath hi zahen me bijli ki si tezi se hazaro khayaal ubharne lage. Abhi das pandrah second bhi na guzra tha ki achanak hi wagle ke zahen me jaise koi visfot sa hua aur palak jhapakte hi zahen me ek naam ubhar aaya aur sath hi aankho ke samne ek chehra jaise full roshni ke sath flash ho utha. Wo chehra tha______Vikram Singh ka.
Wagle ne bade dhyaan se diary ko dekha. Diary ke mote cover par The Revenge likha nazar aaya aur uske neeche likha tha____Vikram Singh. Wagle ab puri tarah sure ho chuka tha ki ye parcel us tak kisne pahuchaya tha. Palak jhapakte hi uske zahen me vikram singh se sambandhit har baat goojne lagi. Vikram Singh ke dwara di hui wo diary uske zahen me ubhar aai jisne use vikram singh ke bare me bahut kuch bataya tha aur jis diary ne khud uski zindagi ko kafi had tak badal diya tha.
Jailer shivkant wagle parcel me maujood us diary ko aplak dekhe ja raha tha aur sath hi jane kin khayaalo me khota ja raha tha. Vikram singh naam ka kirdaar uski zindagi me ekdam se anokha sa ho gaya tha. Aaj pure chhah maheene guzar gaye the use uski jail se riha huye. In chhah maheeno me aisa koi din nahi gaya tha jab usne vikram singh ko yaad na kiya ho ya yu kahe ki vikram singh use yaad na aaya ho. Shuruaat ke teen maheene aise the jab wo har roz akhbaaro par aur news channelo par aisi khabre sunta aur padhta tha jisme ek aise rahasyamayi qaatil ka zikra hota raha tha jisne police aur prashasan ki naak me dam kar rakha tha. Har news channel par sirf usi rahasyamayi qaatil ka zikra hota tha. Aaj bhi police aur prashasan ke liye ye ek rahasya bana hua hai ki aakhir wo kaun tha jisne itne saare katl kiye aur in hatyaao ke peeche uska asal maksad kya tha?
Shuruaat me kai baar aisa hua tha jab koi na koi police wala vikram singh ke bare me usse puchhne aata tha lekin fir koi nahi aaya. Aisa laga tha jaise police walo ka vikram singh ke bare me usse puchhna bewajah tha, ya wo ye samajh chuke the ki vikram singh nahi balki koi aur hi hai jo in hatyaao ko anjaam de raha hai. Shivkant wagle khud bhi hairaan aur confuse tha ki in hatyaao ka doshi waastav me kaun ho sakta hai. Halaaki vikram singh ki diary padhne ke baad wo samajh chuka tha ki ye saare katl vikram singh ne hi kiye honge kyoki jo kuch uske sath hua tha aur jo kuch usne bees saalo me saha tha ya khoya tha uska kuch na kuch anjaam to nikalna hi tha uske dwara. Ek tarah se agar ye kaha jaye to galat na hoga ki wagle achhi tarah janta tha ki in saari hatyaao ke peeche vikram singh ka hi hath hai lekin ye hairaani ki baat thi ki usne is bare me kabhi kisi police wale ko kuch nahi bataya tha. Kabhi kabhi wo khud sochta tha ki kya in hatyaao ke peeche kahi na kahi wo bhi jimmedaar hai? Kahne ka matlab ye ki use sach pata tha lekin usne apne department ko kuch nahi bataya tha. Usne ye nahi bataya ki vikram singh ne use aisi diary di thi jisme uska pura itihaas likha hua hai. Zaahir hai agar police department ko vikram singh ki diary milti to wo samajh jate ki in hatyaao ki asal vajah kya hai.
Wagle jab bhi is bare me sochta tha to wo apne andar apradh bojh sa mahsoos karne lagta tha lekin fir wo apne aapko ye kah kar samjhata tha ki vikram singh ke sath jo hua usme vikram singh ka koi kasoor nahi tha. Use aise apraadh ke liye apni zindagi ke bees saal jail me rah kar barbaad kar dene pade jo usne kiya hi nahi tha. Ek jawaan ladka jiska ek achha sa bhavisya ho sakta tha usne bina kisi apradh ke bees saal jail me guzaar diye. Wo is sadme se kabhi ubar hi nahi paaya tha ki uske mata pita uske sawaalo ke jawaab diye bina duniya se chale gaye. Usne us sadme me kabhi ye tak sochna gawara nahi kiya ki uske mata pita ne khud khushi ki thi ya unka kisi ne katl kar diya tha. Upar baitha vidhata sabko dekhta hai. Der se hi sahi lekin sabka bhaagya badalta hai. Ek bekasoor ko jin logo ne uske hi mata pita ke katl me use fasaya tha un logo ko ab shaan se jeene ka koi adhikaar nahi tha.
Wagle yahi sab soch kar khud ko bahla liya karta tha. Uske dil me vikram singh ke liye apnepan ki bhaavna thi aur wo chaahta tha ki ek baar wo vikram singh ko apni aankho se dekhe lekin wo achhi tarah jaanta tha ki ab ye sambhav nahi hai kyoki itna kuch hone ke baad vikram singh use kabhi apna chehra nahi dikhayega. Usne apni taraf se vikram singh ko khojne ki bahut koshish ki thi lekin safal nahi hua tha. Dusre use is baat ka bhi khayaal tha ki uske aise kisi kriya kalaapo se department ko us par shak na ho jaye jisse khud us par kisi tarah ka sankat aa jaye.
Wagle ne apni biwi savitri ko bhi vikram singh ke bare me bata diya tha aur sath hi usne uski diary bhi savitri ko padhne ko di thi. Asal me savitri aksar usse zor de kar ye puchhti thi ki uske andar achanak se ye badlaav kaise aa gaya tha aur wagle ne bhi use promise kiya tha ki wo use iski asal vajah zarur batayega. Kuch samay baad wagle ne bahut soch samajh kar savitri ko vikram singh ki diary padhne ko de di thi lekin iske sath hi usne use apne dono bachcho ki kasam de kar ye bhi kaha tha ki wo kabhi bhi kisi bhi haal me vikram singh aur uski diary ke bare me kisi ko bhi kuch na bataye.
Savitri ne vikram singh ki diary ko padha to uski bhi wahi haalat hui jo khud uske pati ki hui thi. Savitri ko bhi vikram singh ke liye ye jaan kar dukh hua tha ki us bechare ne bina apraadh ke bees saal jail me saza ke taur par guzare. Savitri aksar wagle se akele me vikram singh ke bare me baate karti thi aur jab bhi tv par un hatyaao se sambandhit news dekhti thi to wo bhi wagle se yahi kahti thi ki agar ye hatyaye sach me vikram singh kar raha hai to wo galat nahi kar raha hai. Apni patni ki aisi baate wagle ko dilasa ke sath sath bal bhi deti thi ki usne agar apne department se is bare me chhupaya hai to usne kuch galat nahi kiya hai.
"Kya hua." Savitri ki awaaz par wagle ka ek baar fir se dhyaan toota to usne chaunk kar awaaz ki disha me dekha. Savitri usse kuch hi doori par khadi thi_____"Ab dhoop me hi baithe rahenge kya? Andar chaliye, aapki dawa ka samay ho gaya hai."
Savitri ke kahne par wagle ne sir hilaya aur parcel me us diary ko band kar ke utha. Uske baad parcel ko le kar wo ghar ke andar ki taraf badh chala. Savitri usi ki taraf dekh rahi thi. Uske dono bachche chhuttiyo me apni mausi ke paas pune gaye huye the. Ghar ke andar jab dono pahuche to savitri se raha na gaya.
"Kuch pata chala aapko?" Savitri ne kamre me aate hi wagle se puchha____"Kya tha us parcel me aur kisne bheja hai use?"
"Jisne ye parcel ham tak pahuchaya hai." Wagle bed par baithte huye bola_____"Use tum achhi tarah janti ho."
"Kya matlab?" Savitri ke chehre par chaukne ke sath sath hairaani bhare bhaav ubhre____"Mera matlab ye kya kah rahe hain aap? Bhala aise kisi aadmi ko main kaise jaanti hu?"
"Vikram Singh." Wagle ne uski taraf dekhte huye shaant bhaav se kaha____"Vikram singh ko to jaanti ho na tum? Ye parcel usi ne ham tak is tareeke se bhejwaya hai."
"Vi...vikram singh???" Savitri ka chehra ashcharya se bhar gaya____"Mera matlab kya sach me usi ne bheja hai ise?"
"Haan dear." Wagle ne gahri saans li____"Aur iska saboot hai parcel me maujood ye diary."
Kahne ke sath hi wagle ne parcel khol kar usme se diary nikaal kar savitri ko dikhaya aur fir kaha_____"Ye diary vikram singh ki hai jisme uska naam likha hai aur ab ye asaani se samjha ja sakta hai ki uski is diary me yakeenan wo sab kuch likha hoga jo usne jail se riha hone ke baad kiya hoga."
"Badi ajeeb baat hai." Savitri abhi bhi chakit thi____"Use aapki jail se riha huye pure chhah maheene guzar chuke hain aur is beech usne waastav me kya kya kiya hoga iska hame kuch pata nahi tha. Ye alag baat hai ki tv par ham jin hatyaao ki news dekhte the usse ham yahi samajhte the ki un hatyaao me nishchay hi vikram singh ka hath hoga. Khair wo sab to ek alag baat rahi lekin ye samajh nahi aaya ki itne maheeno baad vikram singh ne aapko is tarah ki koi diary kyo bheji? Jaha itne maheene wo hamare liye gumsuda sa bana raha wahi ab bhi to bana rah sakta tha? Fir aisi diary aapko bhej kar apni asaliyat aapse kyo batana chahta hai wo? Kya use zara bhi is baat ka dar nahi ki aap is diary ke dwara uski asaliyat police department ko bata denge?"
"Sahi kaha tumne." Wagle ne gahri saans chhodte huye kaha____"Use hamse kisi bhi tarah ka koi dar nahi hai. Asal me use pahle bhi hamse kisi baat ka dar nahi tha. Agar hota to wo chhah maheene pahle hamari jail se riha hote waqt hame apne hath se likhi hui aisi diary na deta jisme uska pura itihaas likha hua tha. Use ham par pura bharosa hai savitri, tabhi to usne hame ek baar fir se apni ek diary bheji hai. Isme koi shak nahi ki is diary me usne wahi sab likha hoga jo usne jail se riha hone ke baad kiya hoga."
Wagle ki in baato ke baad kamre me gahra sannata chha gaya. Savitri ke chehre par hairaani ke sath sath sochne wale bhaav bhi ubhre huye the. Shayad wo vikram singh ke bare me gahraai se sochne me gum ho gai thi.
"Waise kya aap sach me is diary ke bare me bhi apne department ko kuch nahi batayenge?" Kuch der ki khamoshi ke baad savitri ne wagle se utsuktavas puchha.
"Sawaal hi nahi uthta savitri." Wagle ne savitri ke khubsurat chehre ki taraf dekhte huye kaha____"Ab agar hamne apne department ko is bare me kuch bataya to maamla hamari soch se kahi zyada bigad jayega kyoki us soorat me department hamse sawaal karega ki jab hame vikram singh ke bare me pahle se sab kuch pata tha to hamne pahle hi unhe sab kuch kyo nahi bataya? Nahi savitri, ab is sabke bare me department ko batane ka matlab hai apne hi gale me faansi ka fanda daal lena. Is liye jaise ab tak ham chup the waise hi aage bhi ham chup hi rahenge. Fir chaahe bhale hi is diary me vikram singh ka itihaas kitna hi gairkanuni aur sangeen se sangeen apraadh wala kyo na maujood ho."
"Khair, ham bhale hi vikram singh ke bare me ye jaante ho ki usne in chhah maheeno me kya kiya hai." Savitri ne kaha_____"Aur usne kitni hatyaaye ki hain lekin ye sab usne kis tarah se kiya aur police us tak kyo nahi pahuch paai ye jaanne ki jigyasa is diary ko dekh kar badh gai hai."
"Hamara bhi yahi haal hai savitri." Wagle ne kaha____"Hamare man me bhi ab ye jaanne ki jigyasa badh gai hai ki vikram singh ne is diary me kya likha hoga?"
"To der kis baat ki hai?" Savitri ne bed par wagle ke bagal se baithte huye kaha____"Is diary ko kholiye. Ham dono is diary me likhe vikram singh ke itihaas ko padhte hain."
"Abhi nahi." Wagle ne apni badhi hui dhadkano ko kaabu karte huye kaha____"Abhi tum dopahar ke liye lunch taiyar karo. Ham dono lunch karne ke baad tasalli se is diary ko padhenge."
"Theek hai." Savitri ne bed se uthte huye kaha____"Main fatafat khana bana leti hu. Tab tak aap bhi dawa le kar araam kijiye."
Savitri ke aisa kahne par wagle ne haan me sir hilaya aur fir diary ko waapas parcel me lapet kar ek taraf rakh diya. Savitri kamre se ja chuki thi lekin wagle achhi tarah samajhta tha ki is diary ke dwara vikram singh ke bare me uski tarah savitri ke man me bhi utsukta badh chuki hai. Uski tarah wo bhi jald se jald vikram singh ke aage ka kissa jaanne ke liye utsuk ho uthi hai. Khair kisi tarah waqt guzra. Savitri ne lunch taiyar kiya aur dono ne mil kar khaya. Wagle ka swasthya ab pahle se behtar tha is liye usne bhi aaj savitri ke sath sab kuch khaya. Halaaki savitri ne iske liye use mana bhi kiya lekin wo nahi maana. Lunch karne ke baad dono hi kamre me aaye aur vikram singh ki diary me likhe uske itihaas ko padhne ka pura man bana liya. Wagle ne parcel se diary nikaali aur diary ke mote cover par likhe The Revenge ko dhyaan se dekhne laga. Savitri ki bhi nigahe unhi shabdo par jam gai thi.
✤༺✧༻✤