Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

[color=rgb(0,]UPDATE- 86[/color]

[color=rgb(51,]Anant ke mummy papa ke jane ke baad Manisha ne Anchoring ki kaman wapas sambhalte huwe kaha.

Manisha- Wahhh. Dulhe aur Dulhan ke mata pita ne apne gano ke jariya apne bachho ko dher sara aashirwad diya hai. Ab bari aati hai dono taraf ke rishto mein lagne wali bhabhiyo ki. To big hand to bhabhiya.

Iske baad dono taraf ki rishto mein lagne wali bhabhiya stage par aa gayi. gana bajna shuru huwa.[/color]

[color=rgb(65,]Ladki walo ae ladke walo.[/color]

[color=rgb(65,]hhhhhhuuuuuuuu
Ladki tumhari kanwari rah jati.
[/color]
[color=rgb(65,]Ladki tumhari kanwari rah jati.[/color]
[color=rgb(65,]Ye mano hamara Ehsan ki ladke ne[/color]
[color=rgb(65,]Ki ladke ne haan kar di.[/color]
[color=rgb(65,]Ladki walo ae ladke walo.[/color]
[color=rgb(65,]Huuuuuuuuuuuuu
Ladka tumhara kanwara rah jata
[/color]
[color=rgb(65,]Ladka tumhara kanwara rah jata.[/color]
[color=rgb(65,]Ye mano hamara Ehsan ki ladki ne[/color]
[color=rgb(65,]Ki ladki ne haan kar di.[/color]
[color=rgb(65,]Ladki walo ae ladke walo.[/color]

[color=rgb(51,]Is gane mein dance ke har step ke sath hooting aur taliya bajne lagi. Gana khatam hone ke baad jordar taliya hall mein goonjh uthi. Manisha ne fir se mike sambhala aur boli.

Manisha- Waahhhhh wahhhhhh wahhhhh wahhhhh. Bhabhiyo ki jordar performance ne mahfil mein shama bandh diya hai. bhabhiyo ki performance ke baad ab bari hai ladki ke bhaiyo ki. So big hand to Raghav, Armesh and Nishchal.

Tine stage par aa gaye. DG par gana bajne laga aur tino dance karne lage.[/color]

[color=rgb(65,]Taro ka chamakta gahna ho.[/color]

[color=rgb(65,]Taro ka chamakta gahna ho.[/color]
[color=rgb(65,]Phulo ki mahakti wadi ho.[/color]
[color=rgb(65,]Us ghar mein khushhali aaye.[/color]
[color=rgb(65,]Jis ghar mein tumhari shadi ho.[/color]
[color=rgb(65,]Khushiyo ke mahlo mein baitho.[/color]
[color=rgb(65,]Koi gam na tumhare paas aaye.[/color]
[color=rgb(65,]Na umar ka pahra ho tum pe.[/color]
[color=rgb(65,]Mere dil ki duwa ye rang laye.[/color]
[color=rgb(65,]Rab hansta huwa rakhe tumko.[/color]
[color=rgb(65,]Tum to hansne ki aadi ho.[/color]
[color=rgb(65,]Us ghar mein khushhali aaye.[/color]
[color=rgb(65,]Jis ghar mein tumhari shadi ho.[/color]

[color=rgb(51,]Raghav aage badhkar Savita ke paas aaya aur use apne sath stage par le gaya. Savita bich mein khadi ho gayi aur tino bhai uske charo taraf ghoom ghoom kar dance kar rahe the. Savita kabhi hansti to kabhi uski aankhe nam ho jati. Gane ke bich mein hi Manisha ne mike sambhalte huwe kaha.

Manisha- Wahhh. Tino bhaiyon ne apni bahan ke liye bahut hi achhi performance di hai. tino ne mahfil mein aag laga di hai. Bahut badhiya Boss. Mazaa aa raha hai.

Thodi der baad gana khatam huwa to tino ka dance bhi khatam ho gaya. Savita ne tino ko apne gale laga liya. Manisha ne Anchoring karte huwe kaha.

Manisha- Hey hey guys. Khushnuma mahaul ko gamgin mat banao. Dulhan ke bhaiyo ne bahut hi behtareen performance di hai Ab bari aati hai Ladke walo ki taraf se. Aur ladke ki taraf se aa rahi hain dulhe ki bahan Miss charu. So big hand for Miss charu.

Charu stage par aa gayi aur usne Mere brother ki Dulhan par bahut hi achha dance kiya.

[/color]

[color=rgb(65,]Mere brother ki dulhan, brother ki dulhan, brother ki dulhan..

Matrimonial si aankhein, sabko ab taake jhaakein

Matrimonial si aankhein, dhundhe re chehre baanken..

Matrimonial si aankhein

Sundar ho aur sushila, rang chaandi sa chamkila

Degree bhi ho fashion bhi jaane soniye

Ho seeta jaise naari aur jaane duniya daari

Piya ko sab kuch hi woh maane

Dil se dilli ho woh dhadkan se ho london

Dhundu main dhundu, mere brother ki dulhan..

Matrimonial si aankhein, sabko ab taake jhaakein

Matrimonial si aankhein, dhundhe re chehre baanke...

Mere brother ki dulhan, brother ki dulhan, brother ki dulhan...[/color]
[color=rgb(51,]

Charu ka dance khatam hone ke baad hall mein taliya bajne lagi. Manisha ne mike sambhalte huwe kaha.

Manisha- Wahh waahh. Dulhe ki bahan ne bahut sari mahfil hi loot li. Bahut hi behtareen dance ki prastuti ki hai inhone. Ab bari aati hai jeeju ki fevorite saliyo ki aur ladko ki taraf se aa rahe hain jeeju ke bhai .

To ladki walo ki taraf se aa rahi hain unki Saliya Miss Sarita aur Miss Deepali and Ladko ki taraf se aa rahe hain Mr. Tanmay aur Mr. Yash.

Sarita aur Deepali stage par aa gayi unke sath sath tanmay aur yash bhi aa gaye. DJ par gana bajne laga.[/color]

[color=rgb(65,]Oye kudiye Oye kudiye[/color]

[color=rgb(65,]Tere tan se fisal na jaye.[/color]
[color=rgb(65,]Oye kudiye Oye kudiye[/color]
[color=rgb(65,]Tere tan se fisal na jaye.[/color]
[color=rgb(65,]Mera lal dupatta malmal ka[/color]
[color=rgb(65,]Mera lal dupatta malmal ka

Oye Mundya Oye Mundya
[/color]
[color=rgb(65,]Sine se nikal na jaye[/color]
[color=rgb(65,]Oye Mundya Oye Mundya[/color]
[color=rgb(65,]Sine se nikal na jaye[/color]
[color=rgb(65,]Arman tere dil pagal ka.[/color]
[color=rgb(65,]Arman tere dil pagal ka.

Ashiq majnu aawara tha.
[/color]
[color=rgb(65,]Sabki najaro ka mara tha[/color]
[color=rgb(65,]Kya chain se udta firta tha[/color]
[color=rgb(65,]Kitna khushhal kanwara tha[/color]
[color=rgb(65,]Oye goriye Oye goriye[/color]
[color=rgb(65,]Tune udate panchhi ko.[/color]
[color=rgb(65,]Oye goriye Oye goriye[/color]
[color=rgb(65,]Tune udate panchhi ko[/color]
[color=rgb(65,]Dil ke pinjare mein band kiya[/color]
[color=rgb(65,]Dil ke pinjare mein band kiya[/color]
[color=rgb(65,]Dil ke pinjare mein band kiya[/color]
[color=rgb(65,]Dil ke pinjare mein band kiya[/color]

[color=rgb(51,]Dono taraf se chearup aur hooting ki aawaz aa rahi thi. taliyo ki gadgadahat se hall gunj raha tha. Manisha ne bich mein apni chhavi ke anusar bolna shuru kiya.

Manisha- Are waahhhh kya jordar performance hai. na ladke wale kisi se kam najar aa rahe hain aur na ldki wale. Sangeet ceremony bahut hi achhi ja rahi hai. Bas aise hi jordar performance karte rahiye. SAbhi darshko ko bahut maza aa raha hai.

Udhar Nishchal bas ek tak aur bade dhyan se Sarita ko dekh raha tha. Sarita bahut hi behtareen dance kar rahi thi. Nishchal ne apne man mein kaha.

Nishchal- Kya ladki hai yaar. Har cheez mein parfect hai. itna achha dance kar rahi hai jaise koi professional dancer ho. man to kar raha hai ki ye aise hi dance karti rahe aur main aise hi ise dekhta jaun.

Thodi der mein dance khatam ho gaya to hall ek baar fir se taliyon ki gadgadahat se ghoonjne laga. Sarita aur Deepali apni jagah par wapas aa gayi to Naina ji ne dono ki balaiya le li. Manisha ne mike sambhalte huwe kaha.

Manisha- Hall mein upasthit deviyo aur sajjno. Dil tham kar baithiye Kyonki ab apne dance se aap sabka manoranjan karne aa rahi hain hamari didi yani ki hamare jiju ki dulhaniya. So please put your hands together fir tha bride..

Sabhi ne tali bajakar Savita ka swagat kiya. Savita Googles lagakar Dance floor par aa gaye thi. poore tashan ke sath wo dance karne ke liye taiyar thi. DJ mein gana bajne laga aur Savita ne apni performance shuru kar di.[/color]

[color=rgb(65,]Hain wo handsome sona sabse mere dil ko gaya lekar,[/color]

[color=rgb(65,]Meri neend churayi usne aur khwaab gaya dekar,[/color]
[color=rgb(65,]Ab yue naina bole yaar, bole yahi lagatar,[/color]
[color=rgb(65,]Koi chahe kitna roke main to karungi pyaar,[/color]
[color=rgb(65,]Mere saiya superstar, mere saiya superstar,[/color]
[color=rgb(65,]Mere saiya superstar, mere saiya superstar,[/color]
[color=rgb(65,]Main fain hui unki, mere saiya superstar,[/color]
[color=rgb(65,]Mere saiya superstar, mere saiya superstar,[/color]

[color=rgb(51,]Savita bahut achha dance kar rahi thi. dance khatam hone ke baad Anant ne bahut jor ki shiti bajayii. Manisha aur Armesh hooting karne lage. Savita ko bahut sharam aayi aur wo aakar apni jagah par baith gayi. Savita ki saas ne uska mata chum liya.

Abki baar Dance performance ki bari Manisha ki thi. wo fir se stage par aa gayi aur mike apne hath mein lete huwe kaha.

Manisha- To Ab Swagat kijiye Sabse chhoti, chulbuli, natkhat aur didi ki jaan Manisha ka. Are idhar dekhiye idhar. Are main hi hoon Manisha jo aapke samne khadi hui hai. Are ab koi mere liye bhi tali bajayega ya main aise hi apni performance karun.

Manisha ka bas itna bolna tha ki sab thahake lagakar hans pade. Manisha ne aage kaha.

Manisha- To Is dance ko aap aisa samajhiye ki main dance nahi kar rahi hoon balki Savi didi ye dance kar rahi hain. Mera matlab hai ki dance to main hi karungi. Lekin aap logo ko samajhna ye hoga ki didi dance kar rahi hain. Matlab main dance karte huwe didi ka act karungi to Kya aap sab taiyar hain.

Poora hall haan ke Swar se goonjh utha. Manisha Dance floor se center par aa gayi, DJ bajna shuru huwa.[/color]

[color=rgb(65,]Main sasural nahi jaungi, doli rakh do kaharo.[/color]


[color=rgb(65,]Sal - do sal nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Main sasural nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Sal - do sal nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Pahla sandesha sasur ji ka aaya.

Pahla sandesha sasur ji ka aaya.

Maine bhi kya khoob bahana banaya.

Buddhe sasure ke sath nahi jaungi. Doli rakh do kaharo.
[/color]

[color=rgb(65,]Sal do sal nahi jaungi. Doli rakh do kaharo.[/color]

[color=rgb(51,]Gane ke bich mein sas, sasur, jeth, nanad sabka naam aaya. To Manisha bari bari se sabke paas jakar dance karne lagi. Sabhi thahake lagakar hans rahe the. Aakhir mein jab pati ka naam aaya to Manisha ne Savita aur Anant ko ek sath khada kar diya aur un dono ke sath dance karne lagi.

Gana jaise hi khatam huwa sabhi Manisha ki tareef karne lage. Manisha ne gane par bakhubi dance kiya tha wo bhi bahut hi masti aur chulbulepan se bharpoor. Manisha ki dance parformence ke baad Sarita dance floor par aayi aur mike sambhalte huwe kaha.

Sarita- Manisha ki dhamakedar dance performance ke baad ab jo performance hogi wo is sangeet samaroh ki aakhiri performance hogi aur wo performance bahut khas hogi, Kyoki ye performance Savi di aur Anant Jiju ke dwara ki jayegi. To dil tham ka baithiye. Kyonki stage par aa rahe hain Di aur Jiju.

Sabne taliya bajakar Savita aur Anant ka swagat kiya. Dono dance floor par aaye. DJ mein gana bajne laga.[/color]

[color=rgb(65,]Hum tere bin ab reh nahi sakte[/color]


[color=rgb(65,]Tere bina kya wajood mera

Tujhse juda gar ho jaayenge

Toh khud se hi ho jaayenge judaa
[/color]

[color=rgb(65,]Kyunki tum hi ho[/color] [color=rgb(65,]Ab tum hi ho[/color]
[color=rgb(65,]Zindagi ab tum hi ho

Chain bhi, mera dard bhi

Meri aashiqui ab tum hi ho

Tera mera rishta hai kaisa

Ik pal door gawara nahi

Tere liye har roz hai jeete

Tujh ko diya mera waqt sabhi

Koi lamha mera na ho tere bina

Har saans pe naam tera
[/color]

[color=rgb(65,]Kyunki tum hi ho[/color] [color=rgb(65,]Ab tum hi ho[/color]
[color=rgb(65,]Zindagi ab tum hi ho

Chain bhi, mera dard bhi

Meri aashiqui ab tum hi ho
[/color]
[color=rgb(65,]Tumhi ho... Tumhi ho...[/color]

[color=rgb(51,]Gana jaise hi khatam huwa. Poora hall taliyo ki gadgadahat se gunj utha. Sabse jyada taliya Savi aur Anant ke dance par baji.

Isi tarah sabne sangeet seremony ka poora lutp uthaya fir sab khane ke liye chale gaye. Udhar Nishchal Sarita se baat karne ke liye mauke ki talash kar raha tha, lekin use Sarita se baat karne ka koi mauka nahi mil raha tha. Jab bhi wo Sarita ke paas jane ki sochta. To use Armesh pahle hi Sarita ke paas baithe huwe dikhayi deta.

Nishchal ko Armesh par bahut gussa aata. Nishchal ne soch liya ki wah ghar jakar Armesh se baat karega. Tabhi Charu Nishchal ke paas aayi aur boli.

Charu- Hey Handsome.

Nishchal- Hello.

Charu- Kya huwa tumhe. Kuchh pareshan ho.

Nishchal- Nahi to aisi kuchh nahi hai.

Charu- Chaliye fir sath mein khana khate hain.

Nishchal jana to nahi chahta tha, lekin kuchh sochkar wo Charu ke sath khana khane chala gaya. Sabhi ne khana khaya. Khana khane ke baad sabhi ghar jane ke liye nikal rahe the. Anant ke pariwar wale bhi hotal jane ke liye nikal rahe the.

Charu Nishchal ke sath khadi bate kar rahi thi. Nishchal Charu ki baat ka jawab to de raha tha, lekin uski najar us par nahi thi, balki wo kuchh hi doori par khadi Sarita ko dekh raha tha, Charu ne jab dekha ki nishchal usko nahi kahi aur dekh raha hai to usne Nischal ki najaro ka pichha kiya to Apne pichhe khadi Sarita ko dekha. Nishchal aur Charu ka is tarah apni taraf dekhna Sarita ko asahaj kar raha tha. Sarita ne apne man mein socha.[/color]




[color=rgb(51,]Sarita- Shayad ye wahi hai jisase us din gadi mein pyaar mohabbat ki bate kar rahe the aur meri taraf dikhakar use bata rahe honge ki kaise maine us din over react kiya tha. tabhi to dekho kaise mujhe ghoor rahi hai.

Thodi der baad Nishchal ne Charu se kaha.

Nishchal- I think ki ab aapko chalna chahiye, sab hotal ke liye nikal rahe hain fir aap akeli pad jaogi.

Charu- hammmmmm. Sahi kaha. Bato- bato mein samay ka pata hi nahi chala. Well kal milte hain fir se. gud night. Take care.

Itna kahkar charu ne apna hath aage kar diya. Nishchal ne bhi apna hath aage badhakar Charu se hath milaya. Sarita un dono ko hi dekh rahi thi. Charu se hanth milate huwe Nishchal ne jab Sarita ko dekha to Sarita ne jhat se apni najar fer li aur idhar udhar dekhne lagi.

Kuchhh hi der mein Charu apne ghar walo ke sath hotal chali gayi. Anant ke ghar walo ke chale jane ke baad ab hall mein Nishchal ke gharwale aur sage sambandhi hi bache the. Nishchal ne Raghav ko apne paas bulaya aur kaha.

Nishchal- Tum aisa karo sabko ghar lekar chale jao. Main aur Armesh yaha ka kaam dekhkar aate hain.

Raghav- Tum sab jao. Main yaha ka sab dekh lunga.

Nishchal- Kuchh jaroori kaam hai tum abhi jao.

Raghav ne bhi Nishchal se jyada kuchh puchhna sahi nahi samjha aur sabko waha se lekar chala gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 87[/color]

[color=rgb(51,]Sabhi ke chale jane ke baad Nishchal ne Armesh ko apne paas bulaya. Armesh Nishchal ke paas aakar bola.

Armesh- Bhaai Aapne mujhe bulaya hai??

Nishchal- hmmmmm kuchh jaroori baat karni hai tumse.

Nishchal ne ye baat Armesh ki taraf dekhte huwe kahi thi, Armesh Uske samne aakar khada ho gaya aur bola.

Armesh- Ji bhaai boliye.

Nishcahl ne uske kandhe par hath rakha aur uske shirt ka collor thikk karte huwe kaha.

Nishchal- Aajkal badi batchit ho rahi hai. Kya baat hai.

Armesh- Kisase baat ho rahi hai bhaai?? Main. Main kuchh samjha nahi.

Nishchal ne samne padi kursi par baithte huwe use sath mein baithne ka ishara karte huwe kaha.

Nishchal- yaha biatho fir batata hoon.

Armesh aakar uske paas wali kursi par baith gaya to Nishchal na apne phone mein li gayi ek photo uski or badhaya. Waha photo armesh aur Sarita ki thi jisme dono sath sath baithe kisi baat par hans rahe the. Armesh ne photo dekhte huwe kaha.

Armesh- Achha to aap Sarita ke bare mein baat kar rahe hain.

Nishchal- hhmmmmm.

Armesh- bhaai ye ladki mujhe bahut pasand hai. Kya lagti hai ekdam ma...

Armesh ka itna kahna hi tha ki Nishchal ne use dat-te huwe kaha.

Nishchal- Chupp. Ekdam chup raho aur meri baat dhyan se suno. Sarita se main bahut pyaar karta hoon aur aaj se nahi pata nahi kab se karta hoon. ye tum jo har samay uske aas paas mandrate rahte ho. Ye mujhe bilkul bhi achha nahi lagta.

Maine socha tha ki main ye baat tumse kabhi nahi kahunga, lekin main dekh raha hoon ki tum kuchh jyada hi uske kareeb jane ki koshish kar rahe ho isliye mujhe kahna pad raha hai.

Ab maine tumhe sab bata diya hai to main ummeed karta hoon ki tum uske sath ache se pesh aaoge aur ye jo pasand wasand kar rahe ho na tum Sarita ko ye sab karna chhod do.

Par fir bhi tumhara dil agar nahi maan raha hai to Bhabhi samajh kar hi jo baat karni hogi karna. Warna agar mujhe thoda bhi uch nich laga to fir tum samajh sakte ho ki kya ho sakta hai.

Armesh- Bhaai Aapko ye sab pahle hi bata dena tha na. Ab main kya karu. Wo hain hi itni pya..

Nishchal- (gusse se) Abhi kya samjhaya tha maine tumhe.

Armesh- Sorry bhaai. Ab nahi bolunga kuchh bhi. Waise ek baaat kahunga bhaai. Unko dekhkar lagta nahi hai ki wo aapse pyaar vyaar karti hain.

Nishchal- To Ab kya wo apne mathe par likhwa kar gumegi ya takhti latkakar ghumegi ki wo mujhse pyaar karti hai.

Armesh- (hanste huwe) Bhaai. Aap to psycrastic hote ja rahe hain. Pyaar ne aapko kya se kya bana diya hai.

Nishchal- Jyada dannt dikhane ki jaroorat nahi hai warna di ki shadi ki photo mein bina dant ke hi aaoge.

Armesh- (serious hokar) Bhaai ab main unko Bhabhi ki najar se dekhunga pakka. Agar aap kahenge to unko kya unki bahan ko bhi Bhabhi ki hi najar se dekhunga.

Armesh ki baat sunkar Nishchal ab Nishchint ho chuka tha isliye wo muskura kar bola.

Nishchal- Good boy. Par sirf najar se hi nahi dil se bhi Bhabhi man-na.

Armesh- Bilkul bhaai. Ab shikayat ka mauka nahi milega aapko. Aapki bate maine apne is chhote se dimag mein baitha li hain.

Nishchal- Thik hai Ab chalo ghar chalte hain.

Armesh- Kya aapko bas yahi bate karni thi.

Nishchal- Hmmmm.

Armesh- Bhaai agar kuchh aur bhi ho to wo bhi bata do, nahi to baad mein kahoge ki ye mat karo wo mat karo.

Nishchal- Jab jaroorat hogi tab bata dunga.

Uske baad dono ne waha ka kaam finish kiya aur ghar aa gaye. Subah se sabhi thake hare the to jaldi hi sab so gaye. Par 4 jodi aankhe aisi thi jinki aakho se neend bilkul hi gayab thi aur wo the Nishchal aur Sarita, Raghav aur Manisha.

Sarita apne bister par leti idhar udhar karwate badal rahi thi. Wah jab bhi apni aankhe band karke sone ki koshish karti to uske samne Aaj Parking mein car mein jo kuchh bhi huwa wah drishya dikhayi dene lagta aur yah sab sochkar hi uske poore sharir mein ek jhanjhanahat daudne lagti hai. Nishchal ka honth apni pith par Sarita ko abhi bhi mahsoos ho raha tha.

Udhar Nishchal bhi Apne bister par karwat badal raha tha. uske jehan mein sirf aur sirf Sarita hi ghoom rahi thi. Sarita ke bare mein sochte huwe Nishchal apne man mein bola.

Nishchal- Mujhe laga hi nahi tha ki Armesh itni aasani se maan jayega par chalo Use to samajh mein aa gaya ki tum sirf meri ho, lekin tumhe kab samajh mein aayega. Main tumhare rashte ki har mushkilein door kar dunga Sarita. Tumhari zindagi mein sirf aur Sirf khushiyan hi rahengi. I Love You So much.

Tum jab mujhe killer wala look deti ho na gusse mein apne nathuno ko fulakar to yakin mano. Tumse aur bhi jyada pyaar ho jata hai mujhe. Pata nahi kab main tumse ye sari batein kar paunga. Jab tum apni Aankhe badi karke mujhe dekhne lagti ho to bas wahi par meri himmat jawab de jati hai aur uske aage main bolne ki himmat hi nahi juta pata, lekin wo din bahut jald aayega jab tum khud mujhe I Love You bologi. Main tumhe apne pyaar ka ehsas karwa kar rahunga.

Yahi sab sochte sochte use Savita ki yaad aayi. Wo sochne laga ki di kal use chhodkar chali jaengi to wo kaise rahega. Ye sochkar wo turant apne kamre se bahar niklaa aur Savita ke kamre ki taraf chal pada. Usne jakar darwaza khatkhatayaa to Savita ne poochha.

Savi- kaun hai.

Nishchal- Main hoon di.

Nishchal ki aawaz sunkar Savitaa ne darwaza khol diya aur jakar apne bister par baith gayi. Pichhe pichhe Nishchal bhi jakar uske bagal bister par baith gaya. Sarita ne dekhaa ki nishchal ka chehraa utra huwa hai to usne nishchal se puchaa.

Savi- kya baat hai nishu, kuchh huaa hai kyaa. Tu itna pareshan kyon hai.

Savi ki baat sunkar nishchal ki aankhein dabdabaa gayi aur uski aankhon se aanshu chalakkar bahne lage. Ye dekhkar Savita ne turant usko gale lagaa liyaa aur pyaar se uska sir sahlate huwe kaha.

Savi- Kya hua nishu. Tu ro kyon raha hai. Kisi ne kuchh kaha kyaa.

Nishchal- {sisaktr huwe} nahi di.

Savi- (nam aankho ke sath) fir tu kyon ro raha hai.

Nishchal- Kal aap mujhe chhodkar chali jayengi to main kaise rahungaa aapke bina di. Aap kahi mat jaiye di. Main akela ho jaungaa.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ki bhi aankhein bhar aayi. Wo nishchal ko aur kaskar apne sine se lagate huwe boli.

Savi- main tujhe chhodkar kahan ja rahi hoon nishu. Teri yadein hamesha mere sath rahengi. Main roj tujhse baat karungi. Ab ro mat bhaai. Nahin to mujhe bhi ronaa aa jayega.

Itna kahkar Savitaa ne nishchal ko apne se alag kiya aur apne hathon se uske aanshu pochhne lagi. Nishchal ne bhi savita ki aankho se bahne wale aanshuo ko apne ahthon se saaf kiyaa. Thodi der donon aise hi baithe rahe. Thodi der baar jab nishchal sanyamit huwa to usne kahaa.

Nishchal- Thik hai di ab aap aaram kijie main chaltaa hoon. Good night di.

Savi- good night nishu. Apna khyal rakhnaa.

Nishchal- aap bhi di..

Itna kahkar nishchal apne kamre mein aa gaya aur apne bister par late gaya. Raat ke kis pahar uski aankh lag gayi use khud nahi pata. Agale din shadi thi. Subah sab jaldi se uthkar apne apne kaam mein lage huwe the.

Aanand ji aur Raani ji bhi subah tadke hi aa gaye the. Unhe dekhkar Manisha aur Sarita bahut khush hui aur unke gale lag gayi. Aanand ji aur Raani ji ghar mein sabhi logo se mil rahe the. Ghar mein khoob chahal pahal thi. Sab kisi na kisi kaam mein lage the.

Mehman bhi aa rahe the to unki aavbhagat bhi ki jar ahi thi. Jab Aanand ji aur Raani ji ka parichay Naina ji ne Buwa ji se karwaya to buwa ji ne kaha.

Buwa ji- Are waahhh. Betiyaa kya kam thi jo unke mummy papa bhi aa gaye. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat to wo dono nahi samjhe ki buwa ji kahna kya chahti hain lekin Naina ji buwa ji ka Aashay samajh gayi. Raani ji ne jab prashnawachak Drishti se dekha to Naina ji ne baat ko badalte huwe kaha.

Naina ji- Are Buwa ji ko chodiye. Inki mazak karne ki aadat hai.

Itna bolkar Naina ji Unhe lekar waha se chali gayi. Subah se sari rashmein ho rahi thi. Silmayan ki rasham dophar ko ho gayi. Sabne milkar khana khaya. Sham ko Savita ko parlor jana tha to Bhabhi aur Manisha uske sath jane lagi to Naina ji ne kaha.

Naina ji- Sarita beta tum bhi sath mein chali jao.

Sarita- Ji nahi Aunty ji. Main yahi rahungi to thikk rahega. Agar kisi ko kisi madad ki jaroorat padi to main kar dungi. Di ke sath Bhabhi ji aur Manisha to ja hi rahi hain.

Naina ji- Are kaam ka kya hai. Kaam to hota rahega. Tum uski chinta mat karo. Agar tum waha par jaogi to ache se taiyar ho jaogi.

Sarita- Akele kya kya karengi aap?? Waise bhi maa hain na wo mujhe taiyar kar dengi. Ab aap kuchh aur mat boliyega.

Sarita ki baat sunkar Naina ji Muskurakar Doosre kamo mein lag gayi. Savita, Bhabhi ji aur Manisha bahar jakar gadi mein baith gaye. Raghav ne unhe parlor chhod diya. Lagbhag 3 ghante baad Savita, Bhabhi ji aur Manisha ko lekar Raghav Vivah Sthal par pahuch gaya. Tab tak lagbhag sabhi log taiyar hokar waha par aa chuke the. Savita ek kamre mein baithi hui thi. Savita ko Aas paas sabhi ghere huwe khade the.

Rathod khandan ki beti ki shadi thi. Rathod apne aapme bahut bada naam tha poore Kanpur mein. To is shadi mein bahut bade bade log bhi aaye huwe the. CM ko bhi Nimantran patra bheja gaya tha. jo kuchh hi der mein aane wale the.

Naina ji Savita ke kamre mein gayi. Savita ko Dulhan ke libas mein dekh kar naina ji ki aankhe chhalak aayi. Unhone aage badhkar Savita ka maatha chum liya kaha.

Naija ji- Kitni pyaari lag rahi hai meri bachhi.

Naina ji ki baat sunkar Savita ki aankhe bhar aayi aur wo Naina ji ke gale lag gayi. Ye dekh kar Bhabhi ji ne kaha.

Bhabhi- Are bas kariye aap dono. Nahi to sara makeup kharab ho jayega.

Naina ji- Nahi Nahi. Main kuchh nahi kar rahi.

Naina ji ne kajal ka tika Savi ke kan ke pichhe laga diya. Savita ne Rundhe huwe gale se kaha.

Savi- Kya aap meri ek baat manengi maa??

Naina ji- Haan bol meri bachhi.

Savi- Nahi aise nahi. Pahle aap wada karo ki main jo bhi kahungi aap meri baat manengi.

Naina ji ne Savita ka hath apne hath mein liya aur kaha.

Naina ji- Wada. Ab bolo tum kya kahna chahti ho.

Savi- Maa main chahti hoon ki mandap mein jitni bhi bhaai ki rashmein hongi. Wo sari rashmein Raghav karega. Please.

Savita ne ye bolte huwe apne dono hath jod liye the. Savita ki baat sunkar Naina ji ne hairani se kaha.

Naina ji- Kyaa??

Savi- Please maa. Mana mat karna.

Naina ji- Mujhe teri baat se koi aitraz nahi hai beta. Mera liye jaise Nishchal hai Waise hi Raghav bhi hai, lekin buwa ji ka bartav to tum dekh hi rahi ho. Tumhe Lagta hai ki agar Raghav ne Sari rasham ki to buwa ji shant baithengi. Nahi wo tahalka macha dengi. Tum samajhne ki koshish karo.

Savi- Wo sab main kuchh nahi janti hoon. buwa dadi ko kaise manana hai wo aap janiye.

Naina ji- Zid mat karo Savi. Shadi ache se ho jane do.

Savi- Mujhe Kuchh nahi pata maa. Ek baat aap bhi sun lijiye ki agar Raghav ne Mandap mein bhaai wali sari rashme nahi ki to main ye shadi hi nahi karungai.

Naina ji- (Dapatate huwe) Chup. Bilkul chup. Ye kya ulti sidhi bate kar rahi ho. Main maa hoon. main nahi chahti ki meri bachhi ki shadi mein koi bakheda khada ho. Tum samajh kyon nahi rahi ho is baat ko.

Waha par maujood sabhi logo ne Savita ko samjhaya. Ab ise Savita ki zid kahiye ya Raghav ke liye uska pyaar ki kisi ke samjhane par bhi Savita ne kisi ki baat nahi mani. Es baat ko 30 minute bit chuke the. Sabhi Sarita ko samjha rahe the. Kisi ne jakar ye baat Raghav ko bata di to wo turant hi Sarita ke kamre mein aa gaya aur darwaze ke paas khade hokar bola.

Raghav- Najar na lage meri di ko. Meri di kitni pyaari lag rahi hai. Aapne inhe kala tika lagaya ya nahi mummy ji.

Savita ne jab Raghav ko dekha to wo daudkar uske gale lag gayi. Savita ki aankho mein aanshu aa gaye. Raghav ne Savita ko lakar bister par baithaya aur kaha.

Raghav- Ye kaisi zid pakad ke baith gayi ho aap di. Jab aapne, Mummy ji ne papa ji ne mujhmein aur Nishchal mein koi bhedbhav nahi kiya. Ham dono ko ek jaisa mante hain. Ek jaisa pyaar karte hain to fir bhaai wali sari rasham main karu ya Nishchal kare Kya fark padta hai.

Aap yakeen maniye di. Agar bhaai ki sari rasham Nishchal karega to Mujhe aur bhi jyada Khushi hogi. Mujhe pata hai ki aap mujhe bahut pyaar karti hain. Nishchal se bhi jyada care karti hain meri, lekin aap buwa dadi ji ka nature to janti hi hain. Main nahi chahta ki meri wajah se meri di ki shadi mein koi bhi dikkat aaye. Plz

Savi- main koi chhoti bachhi nahi hoon Raghav jo tum mujhe bahla- fusla kar apni baat manwa rahe ho. main ab tab tak niche nahin aaungi jab tak tum mujhe vachan nahi de dete ki Bhaai ki sari rashmein tum karoge.

Raghav- di. ye kya bachpana laga rakha hai aapne. Aap is is samay ekdam chhote bachho ki tarah zid PAR ADI HUI HAIN.

Savi- Nahi. Mujhe kuchh nahi sun-na. maine jo kaha hai wo aap sabko man-na padega.

Tabhi Deepali daudti hui waha par aayi aur boli.

Deepali- Dadi ji Chaliye. Baraat aane wali hai. Dada ji aapki niche bula rahe hain.

Ye sunkar Naina ji ne Savita ki taraf dekha to Savita ne kaha.

Savi- Pahle maine jo manga hai wo dekar jaiye mummy.

Naina ji- Thik hai Savi. Diya.

Raghav- Maa. Aap jaiye main di ko samjha kar lata hoon.

Raghav ki baat sunkar Naina ji aur anya log bahar chale gaye. Ab kamre mein Savita, Raghav aur Manisha hi bache the. Savita ne Raghav ko dekhte huwe kaha.

Savi- Tum karoge na bhaai ki sari rashamein.

Raghav- Ye kya hai di. aap aise kyon kah rahi hain. Aapko pata hai na ki main aapse kitna pyaar karta hoon. Main nahi chahta ki aapki Shadi mein koi dikkat aaye. Main nahi chahta ki buwa ji fir se kisi baat ko lekar bakheda khada kar dein aur baratiyon ko baate banane ka mauka mil jaye.

Savi- Maine kaha na ki mujhe kuchh nahi sun-na. mujhe koi fark nahi padta ki koi kya kahta hai aur kya sochta hai. Agar tu mujhse sach much mein pyaar karta hai aur apni di manta hai to tu meri baat se inkar nahi karega.

Raghav- Di..

Savita- to tum karoge na sari rasham.

Raghav ne haam mein apna sir hila diya. Uski aankho mein aanshu aa gaye the. Manisha na jab RAgahv ko dekha to use bilkul bhi achha nahi laga. Raghav ke haan kahne ke baad Savita ne khush hote huwe kaha.

Savita- Itna natak karne ki kya jaroorat thi. pahle haan nahi bol sakte the. Mera poora make-up kharab kar diya.

Savita ki baat sunkar Raghav aur Manisha muskurane lage. Manisha ne jakar make-up wali ko bulakar laya. Makeup wali Savita ka makeup thik karne lagi to Raghav kamre se bahar chala gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 88[/color]

[color=rgb(51,]Parlor wali ke andar aane ke baad Raghav bhahar chala gaya. Uske pichhe Manisha bhi chali gayi. Manisha ne Raghav ko aawaz di.

Manisha- Raghav. Meri baat suno.

Manisha ki aawaz sunkar Raghav ruk gaya aur pichhe muda to Manisha uska hath pakadkar paas ke kamre mein le gayi. kamre mein pahuchate hi Raghav ke Aanshuwo ne uski aankho ka sath chhod diya aur wo Manisha ke gale lagkar phoot phoot kar rone laga. Manisah ne uski pith sahlate huwe kaha.

Manisha- Raghav. Raghav. Kya huwa tumhe??

Raghav- Kuchhh nahi. Wo buwa dadi ji jab mujhe ulta siddha sunayengi to meri aankho se aanshu na nikle isliye main abhi hi ro le raha hoon. Mujhe bhaai wali sari rashmein bhi to karni hai to Agar main waha par rone laga to di ka kya hoga.

Manisha- Achha ab chup ho jao.

Thodi der tak Raghav Manisha ke gale laga raha fir usase alag hokar room se bahar chala gaya.

Mohit aur jawed bhi shadi attend karne aa gaye. Dono sabse milkar Bahut khush huwe. Sarita aur raghav ko bhi donon se milkar bahut achha lagaa.

Udhar CM Sahab bhi shadi attend karne ke liye aa gaye. Unke aane se mahaul aur bhi tadak bhadak wala ho gaya. Unka swagat karte huwe Mahendra ji ne kaha.

Manendra Ji- Are CM Sahab. Swagat hai aapka. Aap meri bachhi ki shadi mein aaye iske liye aapko bahut dhanyawaad.

CM- Are Mahendra ji. Ye to hamari khushnasibi hai ki aapne mujhe apni beti ki shadi mein bulaya. Lekin Mahendra ji. Mere paas jyada samay nahi hai to mujhe jaldi hi nikalna padega.

Mahendra ji- Aaj ke din aapka koi bahana nahi chalega. Bitiya aur damad ko Aashirwaad dekar aur khana khakar hi aapko jane dunga aaj.

CM- Ab main iske bare mein kya bol sakta hoon. Mujhe pata hai ki aap mujhe itni aasani se chhodne wale hain nahi. Ab mejbaan aap hain to aap jaisa kahe.

CM Sahab ki baat sunkar Mahendra ji ne apne ek mulajim ko bulaya aur kaha.

Mahendra ji- Suno Chandan. Ye hamare khas mehman hai to inki khatirdari mein koi kami nahi honi chahiye. Tumhari jimmedari yahi hai ki jab tak CM sahab yaha par hain tum inhi ke paas rahoge aur jis cheez ki bhi inhe jaroorat hogi. Tum inhe lakar doge. Samajh gaye.

Chandan- Ji sahab samajh gaya.

Chandan ko samjha kar Mahendra ji waha se chale gaye. Tab tak baraat bhi aa gayi. naach gane ke sath dwarachar aur tilak ki rasham sampann hui. Uske baad Anant ko uske bhaiyo ne jaymal ki stage par le jakar sofe par baitha diya aur usase hansi majak karne lage.

Kuchh der baad Savita sabke sath Niche aayi, Nishchal ne jab Savita ko dekha to uski aankho ke por bhig gaye. Usne jaldi se apni aankhon ko saaf kiya aur jakar Savita ke sath khada ho gaya.

Hansi majak ke bich mein hi jaymala ka programme sampann huwa. CM sahab ne bhi Savita aur Anant ko Aashirwad diya aur gift mein Savita aur Anant dono ko gold ki watch bhent ki.

Jaymala ka karyakram achhe se samapt ho gaya to sabhi khane ke liye chale gaye. CM sahab khana khakar apne kafile ke sath sabse vida lekar chale gaye. Anant aur Savita ne sath mein baith kar khana khaya. Savita ke sath Sarita, Manisha, Deepali thi to Anant ke sath Charu, tanmay aur yash the. Thodi der baad unka bhi khana samapt ho gaya aur sabhi uthkar waha se chale gaye.

Lagbhag 2 ghante baad Vivah ki Rashme shuru hui. Charu ek bhi mauka nahi chhod rahi thi Nishchal ke paas rahne ka. Wo kabhi photo click karne ke bahane se to kabhi khana khane ke bahane se to kabhi baat karne ke bahane se. Sarita sabkuchh dekh rahi thi. lekin jab Nishchal ki najar uspar padti to wo apni najare doosri taraf kar leti.

Vivah karyakram mein bhaai ki Rashem ki jab baari aayi to Buwa ji ne kaha.

Buwa ji- Ae Nishuwa. Unha baitha kya kar raha hai. Aa aur bhaai ki Rasham poora kar. Haan nahi to batao jara.

Naina ji ne turant Nishchal ko aankh k ishare se mana kiya. Naina ji ne Raghav se kaha.

Naina ji- Raghav. Jakar bhaai ki rasham karo.

Buwa Ji- (bhadakti hui) Ae bahuriya. Tohra dimaag kharab ho gaya hai kaa. Hamne pahle hi bol diya tha ki ye naaspita kisi bhi shubh kaam mein bhag nahi lega. To ye bhaai wali Rasham Kahe liye karega. Are mahendarwa. Tu hamari baat sunta kahe nahi hai.

Naina ji aur Mahendra ji buwa ji ki baat par maun rahe to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kya huwa buwa dadi ji. Agar Raghav ne Sari Rasham kar di to.

Buwa ji- Ye sari rasham Bhaai karta hai jo tujhe karni chahiye Nishuwa aur tu chahta hai ki Ye Rasham Ee naspita kare. Haan nahi to batao jara.

Nishchal- Raghav bhi to di ka bhaai hai. Ab chahe rasham main karu ya Raghav Kya fark padta hai.

Buwa ji- Tu pagla gaya hai kya. Ye Naspita Hamara khoon nahi hai. pata nahi kiska ganda khoon hai ye. hamari bitiya ki Rasham Is naspite ke hatho se nahi hogi jiske maa baap ka hi pata na ho. haan nahi to batao jara

Buwa ji to apne full form mein aa gayi thi. Buwa ji ke munh se nikali har baat Savita, Nishchal, Mahendra ji, Naina ji Aur khaskar Raghav ka sina chhalni kar rahi thi. Barati bhi Buwa ji ki baato ko sunkar khusar fusar karne lage the. Buwa ji ki baat sunkar Is baar Savi ne kaha.

Savi- Buwa dadi ji. Aap Raghav ko aise nahi bol sakti. Wo mera bhaai hai aur hamesha mera bhai rahega. Main nahi manti aapki kisi bhi baat ko. Maine pahle bhi kaha tha aapse ki Aap Raghav ko lekar koi ulti sidhi baat mat kariyega.

Main nahi manti aapki dakiyanusi baato ko. Jab Mujhe, Nishu ko aur Mummy papa ko is baat se koi problem nahi hai ki Raghav bhaai ki sari rashmo ko nibhayega to aapko itni chidh kyon hai Raghav se. Mujhe kuchh nahi sun-na. Sari Rasham Raghav ki karega.

Baat ko badhte dekhkar Raghav ne kaha.

Raghav- Di. Baat ko badhaiye mat. Buwa dadi ji sahi kah rahi hain. Main Ganda khoon.......

Raghav ki baat sunkar is baar Mahendra ji ka sabar jawab de gaya. Wo gusse se garajate huwe bole.

Mahendra ji- Raghav. Agar iske aage ek shabd bhi kaha to mujhse bura koi nahi hoga. Tum mere bete ho. Kisi ke man-ne ya na man-ne se sachhai nahi badal jayegi. To aage se kuchh bhi bolne se pahle hajar baar sochna. Samjhe.

Raghav- Sorryy papa.

Mahendra ji- Aur buwa ji. Ab Aap bas kariye. Bahut bol liya aapne mere bete ke khilaf. Mujhe to ye samajh mein nahi aata ki aapko Raghav se problem kya hai. Aapka kitna samman karta hai ye. aapki jali kati kisi bhi baat ka aaj tak usne palat kar jawab nahi diya. fir bhi aap hamesha use bhala bura hi kahti rahti hain.

Buwa ji- Mahendarwa. Ab tu itna bada ho gaya hai ki Mujhse juban ladayega. Kya tumne Hamka isi liye shadi mein bulaya hai ki tum hamara apman kar sako. Haan nahi to batao jara.

Armesh- Dadi ji. Chacha ji Aur di sahi kah rahe hain. Agar Rasham Raghav karega to kya dikkat hai aapko. Ye aapka apman kaha kar rahe hain balki aap hi hamesha Raghav ko sunati rahti hain.

Buwa jji- tu chup kar Rameshwa. Bada aaya mujhe samjhane wala. Agar Ragahv ne Rasham ki to main yaha se chali jaungi. Haa nahi to batao jara.

Mahendra ji- Buwa ji. Aap apni zid chhod dijiye. Hamari beti ne pahli baar hamse kuchh managa hai ki uski shadi mein bhaai ki sari rasham Ragahv kare to ham apni beti ko mana nahi karenge. Bhaai ki sari rasham Raghav hi karega. Ab kisi ko rahna ho to rahe aur jana ho to chala jaye. Mujhe apni beti ki khushiyo se jyada is samay kisi aur cheez ki parwah nahi hai. Raghav beta aage jao aur Rasham shuru karo.

Raghav aage badhkar Rasham karne laga to Buwa Dadi waha se uthkar jane lagi, lekin paas baithi Deepali aur Manisha ne unka hath pakadkar fir se wapas baitha liya. Buwa ji ne dono ko ghoor kar dekha to dono idhar udhar dekhne lagi. Buwa ji ne kai baar koshish ki lekin jab wo nahi ja pai to man marker baith gayi.

Raghav ne Rasham shuru kar di to Nishchal aakar Sarita ke bagal mein baith gaya. Nishchal ke baithne ke baad Sarita waha se uthkar jane lagi to Nishchal ne uska hath pakad liya aur bola.

Nishchal- Baat to karo na yaar. Aise Kyon ja rahi ho tum. I Am Very very sorry.

Sarita- mera hath chhodiye.

Nishchal- Achha thik hai tum baitho main hi ja raha hoon yaha se.

Itna kahkar Nishchal waha se uthkar jane laga. Paas baithi charu ne ye sab dekha lekin use samajh mein nahi aaya ki dono ke bich kya ho raha hai. wo wahi par baithi Sarita ko hi dekh rahi thi. udhar buwa ji bhi mauka pakar waha se uthkar chali gayi. Naina ji ne ye dekh liya to wo unke pichhe pichhe aayi aur boli.

Naina ji- Aap is tarah waha se uthkar kyon aa gayi??

Buwa ji- (gusse mein) Ab ye bhi hame hi batana padega. Hamse jyada to wah naspita tum sabke liye jaroori ho gaya hai na. kal subah ham rameshwa ke sath yaha se nikal jayenge. Jab hamari is ghar mein koi ijjat hi nahi hai to fir yaha rukne ka koi tuk hi nahi banta hai. haan nahi to batao jara.

Naina ji- Aap ye kaisi baate kar rahi hain. Savi ne jid kiya tha ki uski sari rashein Raghav hi karega nahi to wo Shadi nahi karegi. Waise bhi Nishchal se jyada Raghav Savi ko chahta hai usne kabhi bhi ham logo se kuchh nahi managa.

Jaise bolo waise hi rahta hai, Sabse Achhi tarah se baat karta hai aur sabse badi baat ki ham sabko paraya nahi manta. Aapne to dekha hi hai ki Nishchal apni duty ki wajah se pahunch nahi papa to usne kitne achhe se sab sambhal liya tha. Savi ke papa ko tanik bhi pareshan nahi hone diya.

Buwa ji- (munh banate huwe) Bass bass Jyada badai na karo uski mere samne. Mujhe sab pata hai ki kaun kaisa hai?? hame us ladke ke bare mein kuchh na hi batao to jyada achha hai. haan nahi to batao jara.

Naina ji- Savi ne hi Raghav se kaha tha ye karne ke liye.

Buwa ji- Are bahuriya. Savi to nadan hai par tum aur Mahendar to samajhdar ho na. Apni beti ko bhala- bura, Achha-kharab Samjha to sakte the. Jis ladke ke na kul ka pata ho aur na hi khandan ka usase tum apni beti ki shadi ki rasham kara rahi ho aur uske aane wali khushhal jindagi mein graham laga rahi ho. kaisi maa ho tum??

Hamse apni bachhi ka ye dukh dekha nahi jayega, isliye ham kal subah hi Allahabad chale jayenge kyonki ham apni aankho se ye anarth hota huwa nahi dekh sakte. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat sunkar Naina ji ne unke samne hath jod liye aur kaha.

Naina ji- Aisa mat kahiye buwa ji. Aap jaisa kahengi waisa hi hoga. Kripya karke ab mandap mein chalkar baithiye, log tarah tarah ki baatein bana rahe hain.

Buwa ji- (Muskurakar) Phale jakar us naaspite ko hamare aankhe ke samne se hatao. wo jab tak mandap mein rahega tab tak ham waha par nahi aayenge. Haan nahi to batao jara.

Udhar jab Buwa ji ke pichhe pichhe naina ji kamre mein aayi to Manisha bhi unke pichhe aayi, lekin wo darwaze par hi ruk gayi. Buwa ji ki baat sunkar use bahut gussa aa raha tha. Uska man to ho raha tha ki wo kamre mein chali jaye aur buwa ji ko khoob achhe se suna de, lekin Uske apne kuchh sanskar the jo use aisa karne se rok rahe the. Buwa ji ki baat sunkar jab Naina ji bahar aane lagi to Manisha waha se chali gayi.

Kamre se bahar aakar Naina ji ne mandap mein jakar Raghav ke kaan mein kuchh kaha to Raghav Muskurate huwe waha se chala gaya. Ab tak Raghav Sari Rasham kar chuka tha. To Raghav Muskurate huwe waha se hat gaya. Raghav ke hat-te hi buwa ji thath se Mandap mein akar baith gayi.

Manisha jis taraf Raghav gaya tha us taraf gayi. Wah haal ke garder area mein aa gaya tha. Manisha kuchh der wahi par khadi hui use dekh rahi thi. jab usase raha nahi gaya to wah daudkar aayi aur pichhe se Raghav ke gale lag gayi.

Raghav ek achanak huwe ek apratyashit kriya se hadbada gaya. Manisha ne pichhe se use gale lagate huwe kaha.

Manisha- Ro rahe ho tum.

Raghav- Nahi to.

Manisha ne Raghav ki baat sunkar uske samne aate huwe kaha.

Raghav- Dikhao apna chehra.

Raghav- (Manisha ko chidhate huwe) Itna pasand aa gaya hai kya mera chehra tumhe??

Manisha- Mazaak mat karo.

Manisha ne use dekha to wo normal hi khada tha. Raghav Manisha ki aankho mein dekhte huwe kaha.

Raghav- Kya huwa??

Manisha- Aunty ji ne tumse kya kaha.

Raghav- Wo main tumhe kyon bataun.

Anisha- Maine Medona aur Aunty ji ki baate sun li hain. Pair kabar mein hain budhiya ke fir bhi apni harkato se baaz nahi aa rahi hai.

Raghav Manisha ki baat sunkar hanste huwe bola.

Raghav- Medona?? Buwa dadi ji ko tumne yah naam diya hai.

Manisha- main to aur bhi bahut kuchh naam dene wali hoon. Budhiya satsang karne ki umar mein sadayantra rach rahi hai.

Raghav- (tez aawaz mein) Aisa nahi bolte Manisha. Wo ham logo se badi hain. Unka hak hai mujhe kuchh bhi kahne ka.

Manisha- Tum sunte hoge. Par main nahi sun paungi. Kyon tum kuchhh bolte nahi ho unko. Agar ek baar tumne palat kar jawab de diya to wo sabke samne hamesha tumhari beizzati nahi karengi. Kyon sahte rahte ho ye sab.

Raghav- Ye sab meri maa ke sanskar hain Manisha. Unhone ham tino mein kabhi bhi koi bhedbhav nahi kiya hai. main bahut lucky hoon ki mere paas poori family hai tum ho aur mujhe kya chahiye. Main buwa dadi ji ko palatkar jawab dekhar apni maa ka apman nahi karna chahta.

Manisha- Par ragahv. Aaj ke jamane mein koi itna siddha kaise ho sakta hai. jab is ghar mein kisi ko bhi tumse koi problem nahi hai to fir wo kaun hoti hai kuchh bolne wali.

Raghav- Wo is ghar ki sabse badi sadasya hain Manisha. Aur waise bhi agar unhe isimein khusi milti hai to unhe bolne do. Wiase bhi maa hain na wo sab sambhal lengi. Tum tension mat lo.

Manisha- Achha thik hai main kaun hoti hoon tension lene wali.

Manisha ki baat sunkar Raghav uske kareeb aaya aur kaha.

Ragahv- Ek tum hi to ho.

Manisha- Achha ji.

Ye baat Manisha ne Raghav ki naak kheechte huwe kahi. Aur itna bolkar wo bhag gayi. kuchh aage jakar usne fir se mudkar poochha.

Manisha- Tum thik to ho na.

Raghav ne sir haan mein hila diya. fir wo apne aapse hi bola.

Raghav- Tum mere liye har tarah se perfect ho Manisha. Main janta hoon ki tum meri parwah karti ho. buwa dadi ji ki baate tumhe pareshan karti hain. Par tumhe pareshan hone ki jaroorat nahi hai. kyonki ab to mujhe in sabki aadat ho chuki hai.

Idhar Charu Sarita ki or bahut dhyan se dekh rahi thi. Sarita ki najar bhi Charu ki taraf aati to wo use apne aapko hi dekhta huwa pati to wo apni najar wapas fer leti. Kuchh der baad Armesh bhi aakar charu ke bagal mein baith gaya aur bola.

Armesh- Itna kyon ghoor rahi ho??

Armesh ke achanak poochhne par Charu sakpka gayi. fir apne aapko sambhalte huwe boli.

Charu- Kyaa aap jante hain ise.

Armesh- Haan Savi di ki dost hai.

Armesh uski baat sunkar muskurate huwe bola to Charu ne kaha.

Charu- Nishchal ko bhi janti hai ye.

Armesh- Off course janti hai.

Charu- In dono ke bich mein kuchh chal raha hai kya.

Armesh- Aapko nahi pata. Ye dono love birds hain.

Charu- (man mein) Iska matlab mera andaza sahi tha.

Armesh- Kyon aapko koi problem hai kya??

Charu- Ji nahi aisa to kuchh bhi nahi hai main to bas aise hi puchh rahi thi.

Charu upar se to use dikha rahi thi ki use is baaat se koi fark nahi pad raha hai lekin wo andar hi andar Sarita se jal rahi thi. Nishchal Charu ko pahli najar mein hi bha gaya tha. Tabhi wo har samay uske aage pichhe gumti rahti thi. wo kisi bhi kimat par pana chahti thi. wah Sarita ko dekhkar bas kudhh rahi thi.

Sarita ko Manisha mandap mein kahi dikhayi nahi pad rahi thi to wo use dhoondhne ke liye chali gayi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 89[/color]

[color=rgb(51,]Sarita ko Manisha mandap mein kahi dikhayi nahi pad rahi thi to wo use dhoondhne ke liye chali gayi. Wah use dhoondhti huwi aage badh rahi thi ki tabhi Nishchal uske samne aakar khada ho gaya. Sarita ne Nishchal se kaha.

Sarita- Mera Rashta chhodiye.

Nishchal- pahle meri baat to sun lijiye.

Sarita- Mujhe kuchh nahi sun-na hai. Mera Rashta chhodiye.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ne uski banh pakadkar diwar se lagate huwe bola.

Nishchal- Maine jaan-bujhkar nahi kiya tha. Wo sab galti se ho gaya tha.

Sarita- Hmmmm to ye baat aap mera hath chhodkar bhi kah sakte hain na.

Nishchal ne Sarita ka hath turant chhod diya. Sarita ne apne dono hath bandh liye aur boli.

Sarita- Haan ab boliye.

Nishchal- I am sorry.

Sarita- Its Okkk. Ab mujhe jane do.

Nishchal- tumne sach mein mujhe maaf kar diya na.

Sarita- Haan kar diya.

Itna bolkar Sarita jane lagi. Jab Nishchal ne uska haath pakda tha to uska lahnge ka ek chhor Nishchal ke pair ke niche dab gaya tha. Jiski wajah se aage badhne ke karan wah girne wali thi tab tak Nishchal ne use thaam liya.

Nischal ka ek hath Sarita ki kamar par tha. Girne se bachne ke liye Sarita ne bhi Nishchal ke kandhe ko mazbooti se pakad rakha tha. Dono ki aankhe ek doosre ko dekh rahi thi. Jab Sarita Mandap se bahar nikli thi to thodi der baad charu bhi Sarita ke pichhe pichhe aa gayi thi. Jab usne dono ko is halat mein dekha to wo bahut gussa ho gayi aur apna pair patakti hui waha se chali gayi. Sarita ki aankho mein dekhte huwe Nishchal ne kaha.

Nishchal- (hanste huwe) Ye bhi achanak hi ho gaya.

Itna kahkar Nishchal ne Sarita ko khada kiya. Sarita bina kuchh bole hi waha se chali gayi. Aise hi nok jhonk ke bich Shadi ki Rasham poori ho Rahi thi. Raghav ko kisi kaam se Mahendra ji ne fir se mandap mein bulaya to Buwa ji fir se gussa ho gayi aur waha se uthkar jane lagi to Manisha ne unka hath pakadkar fir se wapas baitha liya.

Buwa ji ne gusse se ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur bolne ke liye apna munh khola hi tha ki Manisha ne unke Munh mein Rasgulla Dal dilya aur kaha.

Manisha- Buwa dadi ji. Jyada gussa Aapki sehat ke liye thik nahi hai hai. Aap apni sehat ko dekhiye. Sukhkar kanta ho gayi hain. Kuchh khaya piya kijiye.

Manisha ki is harkat par sabhi apna munh dabakar hans rahe the. Uski is harkat ko dekhkar Raghav bhi mand mand muskurane laga. Buwa ji ke paas ab koi chara hi nahi bacha tha kuchh karne ke liye. Munh mein rasgulla tha aur jab wo uthne ki koshish karti to Manisha unhe turant pakadkar baitha deti.

Ek to budhape ka sharir aur bar baar uthak baithak se buwa ji thak gayi thi, isliye majboor hokar wah wahi par baithi rahi aur apni aankho se Manisha ke liye jwala hi ugal rahi thi.

Manisha ko in sab se koi matlab hi nahi tha. Wo to bas aaram se baithi hui thi aur buwa ji ko kheech kheech kar baitha rahi thi. Manisha ne apna man mein kaha.

Manisha- Abhi tak aapka pala aapke takkar ke insan se nahi pada tha. Ab aapka pala mujhse pada hai buwa dadi ji. Ab aapko samajh mein aayega ki kisi cheez ke liye jabardasti karna kise kahte hain. Main bhi dekhti hoon ki ab aap Raghav ko kitna pareshan karti ho.

Sara karyakram bahut achhe se ho gaya tha. Subah bhi ho gayi thi. Baratiyo ke nashte ki vyawastha ki ja rahi thi. sath hi sath munh dikhayi ki bhi taiyari ho rahi thi. Sabhi baratiyon ko nashta karwane ke baad munh dikhayi ki Rasham shuru ho gayi. Jo lagbhag ghante bhar chali.

Manisha aur bhabhiyo ne milkar Anant ko bahut pareshan kiya munh dikhayi mein. Juta ki churaai mein manisha aur deepali ne anant se 21000 rupye liye tab jakar anant ka juta vapas kiya. Munh dikhayi ki Rasham ho jane ke baad Savita ki vidayi ki taiyari hone lagi. Munh dikkhayi ki Rasham tak Khushiyo ka mahaul achanat udasi mein badal gaya.

Har ek chehre par udasi chalak rahi thi. Savita bhi bahut udas thi. rah rah kar uski aankho mein aanshu aa rahe the. Bachpan ki yadein use bahut sata rahi thi. Vidayi ke samay wo sabke gale lagkar bahut royi.

Sab use dilasha dete rahe. Sabse jyada Use dukh Raghav ko chhod kar jane ka tha. Use pata tha ki ghar mein Raghav ko sabhi pyaar karte hain lekin sabse jyada Raghav ke sath usi ka lagav tha. Wo Raghav ke gale lagkar khoob royi aur boli.

Savi- Raghav. Mere bhaai. Mujeh tumhari bahut yaad aayegi.

Raghav- (Rote huwe) Di rote nahin hain. Ye to bahut Khushi ka din hai aapke liye. Aur main kahi ja thodi raha hoon jo aap aise ro rahi hain. Main aapse milne aata rahunga. Roz aapse phone par baat karunga. Aapka jab bhi man kare mujhse milne aa jaiyega. Ab Chup ho jaiye nahi to main bhi ro dunga.

Dono bhai bahan kafi der tak aise hi rote rahe. Uske baad Savita Nishchal ke gale lagkar khoob roi,. Nishchal bhi bahut ro raha tha. Bhabhiyon ne milkar Savita aur niahchal ko shant karwayaa, lekin aise mauke par bichhadne ka dard itni jaldi kam nahin hotaa.

Fir Savita apne aane wale khushhal jivan ki dher sari shubhkamnaye lekar Vida hokar Chali gayi. Sabke chehre par udasi aur Aankho mein aanshu the, Mahendra ji. Naina ji, Raghav, Nishchal Sabhi yaha waha Akele baith kar ro rahe the.

Aanshu to sab ki aankho mein the, sab unhe samjhane ki koshish kar rahe the. Aise hi udasi bhara ye din bhi bit gaya. Ghar ki sari saaf safaai ka kaam Mulajimo ne kiya. Ek- Ek karke lagbhag Sare mehman chale gaye. Mohit aur Javed subah hi chale gaye the. Ab ghar mein bas ek do mehman rah gaye the.

Agla din bhi aise hi bit gaya. Lekin Us din udasi kam thi. sab thoda bahut hans bol rahe the. 3re din Raani ji ne Naina ji se kaha.

Raani ji- Ab hamein bhi chalne ki izazat do Naina. Jeth ji bhi yahi rahte hain to ham soch rahe hain ki ham unse milkar hi Allahabad wapas jayenge. Nahi to wo gussa karenge ki ham log Kanpur aane ke baad bhi unke paas kyon nahi gaye.

Naina ji- Kya Sarita aur Manisha bhi sathi mein jayengi.??

Raani ji- Sarita to yahan se siddha jaunpur ke liye chali jayegi aur Manisha hamare sath Allahabad Jayegi.

Naina ji- Jis tarah tumhari dono betiyon ne aakar pura kaam samabhal liya uske liye main tumhe kaise dhanyawaad karun samajh mein nahi aa rahi hai.

Raani ji ki baat sunkar Naina ji ne apne hath jod kar ye baat kahi to Raani ji ne Naina ji ko gale lagate huwe kaha.

Raani ji- Dost haath jodte huwe nahi balki gale milte huwe achhe lagte hain. Aur kya Sarita aur Manisha tumhari betiya nahi hain kya??

Naina ji ne unki baat sunkar muskura diya aur kaskar Rani ji ko gale laga liya.

Sarita aur Manisha ki paking ho gayi thi. Manisha aur Sarita ne Sabhi bado ke charan chukar aashirwad liya. Naina ji Sarita ko dher sara saman dene lagi to Sarita ne kaha.

Sarita- Kyaa main aapki beti nahi hoon. Kya aap mujhe mehman manti hain Aunty ji.

Naina ji- Are nahi beta. Mera liye tum aur Savi Ek jaisi hi ho,

Sarita- To bas apni Is beti ko apna Aashirwad dijiye aur mujhe kuchh bhi nahi chahiye.

Naina ji- Mera Aashirwaad hamesha tumhare sath hi hai. par main tumhe khali hath kabhi nahi jane dungi.

Sarita- Thik hai Aunty ji. Jaisa aapko thik lage.

Thodi der mein sArita apne mummy papa ke sath jane lagi to Bhabhi ne kaha

Bhabhi- Aap sabse milkar bahut hi achha laga. Ummeed hai Ham fir se milenge.

Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Aap jab kahiyega main turant aapse milne ke liye aa jaungi.

Manisha- Aap boliye to main jaun hi na. yahi ruk jati hoon.

Manisha ki baat sunkar Raani ji ne uske kan marodte huwe kaha.

Raani ji- Ab ye sab tumhari aur saitani nahi jhel sakte hain Samjhi.

Manisha- Ohhhh mummy. Kam se kam jagah to dekh liya karo. Har jagah shuru ho jati ho.

Raani ji- Achha thik hai Thik hai. Ab jyada baatein nahi. Chalo bhi ab. Deri ho rahi hai.

Naina ji- Main Ragahv ko bol deti hoon wo aap logo ko ghar tak chhod dega.

Aanand ji- Are nahi bahan ji. Iski koi jaroorat nahi hai. maine cab bula li hai.

Sarita aur Manisha sabse milne ke baad buwa ji se milne ke liye jati hain to buwa ji dono ko dekhte hi darwaza band kar leti hain. Sarita ne to kuchh nahi kaha lekin Manisha ne unke darwaze ke paas khade hote huwe kaha.

Manisha- Buwa dadi ji Raam Raam. Ham log ab ja rahe hain. Lekin is shadi mein aapke sath maza bahut aaya. Agar aapko kabhi meri yaad aa jaye to Rasgulla kha lijiyega.

Itna kahkar wo hanste huwe waha se chali gayi. jab sabhi bag uthakar bahar nikalne lage to Manisha ne kaha.

Manisha- main didi ke kamre mein kuchh saman bhool gayi hoon. Main wo lekar aati hoon.

Ye kahkar Manisha Upar ke kamre mein jane lagi ki tabhi Raghav use kisi kaam mein uljha huwa mil gaya. Usne Raghav ka hath pakda aur ek taraf le kar chali gayi. Kamre mein pahuch kar wo Raghav se boli.

Manisha- Apni Aankhen band karo .

Raghav- (hairani se) Kyon?? Tumhe jana hai na main to bas aa hi raha tha ye kaam finish karke.

Manisha- Aaye to nahi na. to ab tumhe meri baat man-ni padegi.

Manisha ki baat sunkar Raghav ne apni aankhe band kar li to Manisha ne jhat se uske gaal ko chuma aur waha se bhag gayi. Raghav hairani se khada hokar use jata dekhta raha.

Jab tak use kuchh samajh mein aata Manisha waha se chali gayi thi. Raghav jab bahar aaya to sabhi gadi mein baith rahe the. Raghav uske paas gaya aur dhire se uske kan mein bola.

Raghav- Iska badla to main lekar rahunga tumse.

Raghav ki baat sunkar Manisha apni gardan niche karke muskurane lagi. Sarita ne bhi jate wakt ek baar Nishchal ki taraf dekha aur muskurane lagi. Sarita ko Muskurate dekhkar Nishchal bhi muskurane laga.

Uske baad Sarita & family Waha se chale gaye. Nishchal ka ghar ab ekdam suna ho gaya tha. Manisha aur Sarita ke ghar mein rahne se jo chahal pahal thi ghar mein wo ab khatam ho chuki thi.

Sarita ke ghaye huwe abhi 3.5 se 4 ghante hi beet chuke se. Nishchal kisi kaam se bahar gaya huwa tha Aur apna mobile ghar mein hi chhod kar gaya tha. Wo jab lautkar ghar aaya aur usne apna mobile check kiya to uske mobile mein Manisha ke 15 se bhi jyada miss call pade huwe the.

Ye dekhkar wo bahut ghabra gaya aur usne turant Manisha ka number dile kar diya. Do ring ke baad hi phone receive huwa aur Manisha ne ghabrayi hui aawaz mein kaha.

Manisha- kahan the aap boss. Main kab se aapko phone kar rahi hoon??

Nishchal- Kuchh kaam se bahar gaya tha. Mobile ghar mein hi rah gaya tha, lekin tum itni ghabrayi hui kyon ho.

Manisha Nishchal ki baat sunkar rone lagi. Jisase Nishchal ko bahut ghabrahat hone lagi. Rote huwe Manisha ne kaha.

Manisha- wo didiyaa...

Nishchal Manisha ke aisa bolne aur rone se dar gaya aur bola.

Nishchal- Kya huwa Tumhari didiya ko aur tum aise ro kyon rahi ho??

Manisha- Wo. Wo. diidya mil nahi rahi hai.

Nishchal- (hairani se) Kyaa. Mill nahi rahi hai se kya matlab hai tumhara. Wo tumhare sath hi to gayi thi yaha se. Wahi kahi hogi mil jayegi. Tum ro mat. Mujhe address bhejo main aata hoon.

Manisha ne turant Address bhej diya. Nishchal kapde badalkar apni ID card lekar turant hi nikal gaya.

Kuchh hi der mein Nishchal Manisha ke bataye huwe address par pahuch gaya. Wo Sarita ke bade papa ka ghar tha. Ghar ka darwaza khula huwa tha to Nishchal ghar ke andar chala gaya Waha hall mein Sarita ke Bade papa, badi mummy, unke bachhe, Raani ji aur Aanand ji udas baithe huwe the. Manisha ek bagal baithi hui ro rahi thi. Nishchal ne Manisha ko aawaz di.

Nishchal- Chhote miya.

Manisha- Boss Aap aa gaye.

Itna kahkar Manisha daudkar aayi aur uske gale lagkar rone lagi. Nishchal ne use apnea apse alag kiya aur uske aanshu pochhte huwe kaha.

Nishchal- Poori baat batao ye sab kaise huwa??

Nishchal ke poochhne par Manisha ne batana shuru kiya.[/color]

[color=rgb(65,]Kuchh der pahle[/color]

[color=rgb(51,]Manisha- Jab ham yaha par pahuchhe to maine hi didiya se bola tha ki chalo yahi paas ke mall mein ghoomkar aate hain. Kyonki didiya yahi se wapas Jaunpur chali jati.

Main didiya ke sath time spend karna chahti thi. lekin didiya ne jane se mana kar diya to main zid karne lagi. Mummy ne bhi kaha ki ab to tum apni duty par chali jaogi to fir pata nahi kab sath ghoomne ka mauka milega to wo mere sath chale. Mummy ki baat didiya maan gayi.

Kuchh der mein ham dono paidal hi ghoomte tahalte mall mein pahuch gaye. Didiya ko shuru se hi shoping jyada interest nahi hai to usne andar jane se mana kar diya. mall ke bahar hi hand made saman lage the to didiya ne mujhe andar jane ke liye kaha aur wo un samano ko dekhne lagi.

Didiya ne kaha ki use kuchh handmade saman lena hai to main andar chali jaun. Uske baad main mall ke andar chali gayi.

Main jab shoping karke bahar aayi to didiya waha par nahi thi. maine didiya ko phone kiya lekin uska phone nahi laga.. fir maine mummy ko call kiya ye sochkar ki kahi wah ghar to nahi chali gayi kyonki jab main jyada time lagati hoon to wah gussa hokar chali jati hai.

mummy ne kaha ki abhi didiya ghar nahi pahuchi hai. maine socha ki kahi chali gayi hongi isliye main ghar aa gayi, lekin 1 ghante tak hamne didiya ka intezar kiya jab wo nahi aayi to mujhe bahut ghabrahat hone lagi aur maine aapko phone laga diya.[/color]

[color=rgb(65,]Back to present.[/color]

[color=rgb(51,]Raani ji- Pata nahi meri bachhi kaha hogi. Beta tum uska pata lagao na.

Nishchal- Aap bilkul bhi pareshan mat hoiye Aunty ji. Mere hote huwe Sarita ko kuchh nahi hoga. main dekhta hoon. (fir Manisha se) Us mall ka nam batao jaha se Sarita gayab hui hai.

Manisha ne Nishchal ko mall ka naam bata diya to wo turant hi waha se nikal gaya. Aas paas puchhtachh ki to use jyada kuchh pata nahi chala.

Huliya aur kapde batane par Handmade saman wale ne kewal itna hi bataya ki is huliye ki ek lady kuchh ghante pahle aayi thi. fir ek gadi yaha aakar ruki thi. uske baad ka mujhe nahi maloom.

Nishchal ki najar waha par lage cctv camare par padi jo mall ke entry gate par laga huwa tha.

Nishchal turant hi mall ke andar chala gaya aur camare ki footega mangne laga. Pahle to mall ke owner ne cctv footage dikhane se mana kar diya par jab Nishchal ne use apni ID dikhayi aur CCTV dekhne ka reason bataya to wo maan gaya.

CCTV footage mein dikh raha tha ki Sarita saman lakar khadi thi ki tabhi ek gadi waha aakar ruki. Usme se 2 aadmi bahar nikalkar Sarita ke paas aaye aur kuchh poochhne lage. Usi samay ek aadmi ne Sarita ki naak par rumal rakh diya.

Sarita ne us aadmi ka hath jhatak diya lekin tab tak Sarita ke upar behoshi ka asar ho gaya aur wo ladkhadane lagi to dono aadmiyon ne use pakad kar gadi mein dal liya aur use lekar chale gaye.

Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aaya. Usne gadi ka number joom karke dekha aur bola.

Nishchal- Ye to yahin ki gadi ka number hai.

Gadi na number note karke wo mall se bahar aaya aur Police thane pahuch gaya aur unki madad li. Apna ID card dikhakar Nishchal ne Turant Gadi ke owner ka pata lagaya.

Jab Nishchal Gadi ke owner ke paas pahucha to usne mana kar diya ki uske bare mein wo kuchh nahi janta. Aur uski gadi kal subah se hi gayab hai isliye use iske bare mein kuchh bhi pata nahi.

Nishchal ne use apna ID card dikhaya aur Jail mein dalne ki dhamki dete huwe kaha.

Nishchal- Tum jhooth bol rahe ho. tumhare paas 5 minute ka samay hai. sab kuchh sach sach bata do warna fir tumhari achhe se khatirdari hogi.

Par wah aadmi apni baat par adig raha. Gadi chori hone ki report ke bare mein jab Nishchal ne poochha to usne bataya ki usne abhi tak koi report darz nahi karayi hai. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Mujhe tumhari baato par bharosha nahi hai. isliye agar tum jhooth bol rahe ho to ye tumhare liye bilkul bhi achha nahi hoga. Tumhari gadi kaha se chori hui thi.[/color]


[color=rgb(51,]Us Aadmin ne wo jagah bata di jaha se wo gadi chori hui thi. Nishchal ne us par ek police wale ko najar rakhne ke liye kah diya aur wo us jagah chala gaya jaha ka pata us aadmin ne bataya tha. Lekin Nishchal ko waha par kuchh bhi nahi mila.[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 90[/color]

[color=rgb(51,]Nishchal ne Kanpur police ko Sarita ka phone number diya tha. Thodi der baad hi Sarita ka phone number trace kar liya gaya. Uski current location Allahabad Kaanpur Highway par dikha raha tha. Jab Nishchal Location ki jagah par pahucha to waha par use kuchh bhi nahi mila.

Thodi khojbeen karne ke baad Ek Kone par dhalan ki taraf Sarita ka mobile phone aur uske kuchh saman pade huwe the. Jo Shayad Police ko gumrah karne ke liye chhoda gaya tha. Nishchal ne Sarita ke saman ko uthaya aur us area ke 1-2 kilometer ki range tak poochhtachh ki lekin uske hath koi bhi surag nahi laga.[/color]


[color=rgb(65,]********[/color]

[color=rgb(51,]Idhar Allahabad se thodi door Jaunpur aur Allahabad ke bich mein ek jagah par

Sarita ko jab hosh aaya to usne aapne aapko bandha huwa paya. Uske hath pair aur munh bandhe huwe the. Usne apni garadan thodi si upar uthakar dekha to wo gadi mein thi aur wo gadi kisi sunsan jagah se bahut tezi se aage badh rahi thi.

Sarita Chillana chahti thi par uska munh bandha huwa tha. Kaskar bandhe hone ke karan uska poora sharir dard kar raha tha. Wah apna sharir idhar udhar hilane lagi par koi fayda nahi huwa. Wah pichhe ki sit par bandhi hui thi.

uska pair mud gaya tha aur wah chahkar bhi apne aapko siddha nahi kar pa rahi thi. Gadi mein jab halchal hui to aage baitha ek aadmi pichhe mudkar dekhta hai to Sarita ko hosh aa gaya tha. To wo Sarita par tanj kaste huwe kahta hai.

Aadmi- Kya Huwa madam. Aapko to hosh aa gaya hai. Par aap bilkul bhi pareshan mat hoiye. Aapke sath bahut achhe se pesh aayenge ham.
Uski baat sunkar uske baki sathi hansne lage.[/color]

[color=rgb(65,]********[/color]

[color=rgb(51,]Idhar Nischahl bahut pareshan tha. Raat ho chali thi, lekin Sarita ka koi pata nahi tha. Sarita ke ghar walo ka bahut bura hall tha. Raani ji ki ro ro kar aankhe pathra gayi thi. Nishchal ko koi clue nahi mil raha tha jiske binah par wo Sarita tak pahuch sake.

Wo lagatar poori raat hath pair marta raha lekin use kamyabi nahi mile. Subah ho chali thi. Nishchal ke ghar wale bhi bahut pareshan ho gaye the Nishchal ke raat mein ghar na lautne ke karan. Nishchal ko lagatar ghar se phone aa rahe the. Naina ji, Mahendra ji aur Raghav ne kai phone kiye Nishchal ko, lekin pareshani ki vajah se usne kisi ka phone nahi uthaya.

Nishchal ki aankho mein aanshu aa gaye the. DSP hokar bhi wo aaj apne aapko asahay mahsoos kar raha tha. Wo apne pyaar ko nahi talash kar pa raha tha. Thak haar kar dophar ko wah ghar aaya to Naina ji ne uspar gussa hote huwe kaha.

Naina ji- Kaha the tum kal se. Hamne kitna phone kiya tumhe. Tum kisi ka phone kyon nahi utha rahe the. Tumko agar koi jaroori kaam tha to kam se kam hame bata to sakte the. Aise bina bataye chale gaye tum. Aise kaun sa jaroori kaam aa gaya tha tumhe.

Nishchal- Mummy. Sarita nahi mil rahi hai.

Naina ji- (hairani se) Kya kaha. Nahi mil rahi hai ka kya matlab hai tumhara. Kahan gayi?? kal to yaha se nikal gayi thi. kahi rashte mein to kuchh galat...

Iske aage naina ji kuchh bolti. Usase pahle ni Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kisi ne uska kisnap kar liya hai.

Naina ji Nishchal ki baat sunkar bhauchakki rah gayi. unhone bahut jor se kaha.

Naina ji- Kyaa Kya kaha tumne. Kisnap. Ye tum kya kah rahe ho. ye kaise ho gaya.

Naina ji ki aawaz itni tez thi ki paas wale kamre mein baithe huwe Mahendra ji, Raghav aur buwa ji bhi bahar aa gaye. Naina ji ki baat sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Haan mummy. Kal yaha se jane ke lagbhag 4 ghante baad hi Manisha ne mujhe phone kiya tha ki Sarita mil nahi rahi hai to mujhe laga ki kahi idhar udhar gayi hogi.

Lekin Manisha bahut ghabra gayi thi aur mujhe jaldi se aane ko bola isliye main aap logo ko bata nahi paya. Aur jab main waha par gaya aur khojbin ki to pata chala ki Sarita ka kidnap ho gaya hai.

Naina ji- To tum yahan kya kar rahe ho?? jao aur us bachhi ka pata lagtao. Bhagwan jane kahan lekar gaye honge.

Nishchal- Aap chinta mat kariye maa. Main Sarita ko kuchh nahi hone dunga. Use sahi salamat wapas le kar aaunga.

Manendra- Tum ruko main CM Sahab se baat karta hoon. Poori police force laga denge wo. Bahut jald hi Sarita mil jayegi.

Nishchal- Nahi papa. Aap aisa kuchh nahi karenge. Kyonki itna to tay hai ki wo Sarita ko Personal dusmani ki wajah se hi kisnap kiye hain aur uski jaan khatre main hai, lekin agar unhe kisi bhi tarah pata chal gaya ki puri police force unke pichhe padi hai to Sarita ki jaan ko khatra bahut jyada ho jayega.

Isliye is mamle mein police force involve nahi hogi. Main kah raha hoon na ki Sarita ko kuchh nahi hoga. Use main kuchh hone hi nahi dunga.

Buwa ji bahut der se sab ki baate sun rahi thi. jab unse nahi raha gaya to unhone kaha.

Buwa ji- Sab Naaspito ke munh mein kide pade. Sab itne pagal kaise ho sakte hain. Are agar uthana hi tha to chhotki ko uthate. Pata nahi bechari badki ko kyon utha le gaye. Kitni Achhi thi badki. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat kisi ko bhi achhi nahi lagi. Naina ji ne kaha.

Naina ji- Ye kaisi baat kar rahi hain aap?? Yaha ghar ki bachhi ko kidnap kar liya gaya hai aur aap aisi baate kar rahi hain.

Buwa ji- To ham ka galat bol diye. Sahi to bol rahin hain ham. Chhotki ko hi uthana chahiye tha unhe. Dekha nahi kaise chhotki ne hamri nak mein dam kar rakha tha. Pata nahi apne ghar mein kaise rahti hogi.

Agar use le jate to bala talti sir se. Aur waise bhi wo is ghar ki bachhi nahi hai to uske liye itna pareshan hone ki jaroorat nahi hai. police wale dekh lenge sab. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat se Nishchal ka khoon khaul utha, lekin wo kuchh bola nahi aur apne kamre mein chala gaya. Mahendra ji aur Naina ji bhi apne kamre mein chale gaye. Kamre mein aane ke baad naina ji ne kaha.

Naina ji- Ye sab kya ho gaya ji. Itni achhi bachhi hai wo uske sath koi aisa kaise kar sakta hai.

Mahendre ji- Uski job hi aisi hai ki uske hajaro dushman ho gaye hain. Unhone hi karwaya hoga ye sab.

Naina ji- Mere Nishu ki halat mujhse dekhi nahi jati. Aapne dekha nahi kitna pareshan ho gaya hai Sarita ko lekar. Pata nahi Wo kalmuhe meri bachhi ko lekar kaha gaye honge.

Mahendra ji- tum pareshan mat ho. mujhe apne Nishu par poora bharosha hai. Wo Sarita ko jald ho dhoondh nikalega.

Naina ji- bhagwan kare Sarita jaha bhi ho achhi ho. kuchh galat na ho uske sath. Aap kuchh kariye na.

Mahendra ji- Main karna to chahta hoon, lekin Nishu ne rok diya. uski bhi baat sahi hai. Sarita ki jaan ko khatra to hai, lekin Puri police force involve ho jane se uske liye khatra aur bhi jyada badh jayega. Ab Nishu ne kaha hai to wo jaroor use kidnaper ke changul se chhuda lega.

Idhar Nishchal jab apne kamre mein pahucha aur fresh hokar sofe par baithkar apna mobile check karne laga to usme Jawed aur Mohit ke bahut sare calls pade the. Usne Jawed ko call kiya. Udhar se jawed bola.

Jawed- Hello Sir, Aap phone kyon nahi utha rahe the??? Kal se aapko calls par calls kar raha tha main aur Mohit.

Nishchal- Bas thoda sa pareshan tha. Batao kisliye phone kar rahe the??

Jawed- Sir. Raghu jail se bhaag gaya hai.

Nishchal ye sunkar chillate huwe sofe se uth khada huwa aur bola.

Nishchal- Kyaa?? Kab?? Kaise???

Jawed- Kal Shaam mein hi wo bhaag gaya jail se. ham tab se aapko phone kar rahe the.

Nishchal- Ye to bahut badi gadbad ho gayi. main aata hoon aaj hi waha par. Ekk kaam aur karo. Raghu aur Uske bhaai Bachha Singh ke jitney bhi adde hain Sab par najar rakho.

Jawed- Sir Ham kal se hi ye kaam shuru kar chuke hain. Mukhbiro ki khabar ke mutabik ye pata chala hai ki wo is Shahar mein nahi hai.

Nishchal- Are Itni jaldi Kaha bhaag jayega?? Wahi kahi chhipa hoga khojo use. Usi ne Sarita ko kidnap kiya hoga.

Jawed- (chaukte huwe) Kya kaha aapne Sir Madam ka kidnap.

Nishchal- Haan Jawed. Kal dophar ke kareeb Sarita ko kisi ne kidnap kar liya hai.

Jawed- Kyaaa. Ye sab. ho na ho Sir. Ye kaam Raghu ka hi hai. Itne shatir Tarike se usne sab plaan banaya hoga.

Nishchal- Hammmmmm. Tum aur Mohit do team banakar Raghu aur Bachha Singh ka pata lagao. Main Phuchh raha hoon waha par. Koi bhi information mile to mujhe turant batana.

Jawed- Okkkk Sir.

Phone cut karne ke baad Nishchal ne apna phone bed par fenk diya aur apna sir pakadkar bed par baith gaya. Uski aankho ke samne Sarita ka muskurata huwa chehra najar aane laga. Uski har shararat aur uska har gussa najar aane laga. Nishchal ki aankhe nam ho gayi. wo apne man mein sochte huwe bola.

Nishchal- Pata nahi tum kaha ho Sarita?? Kaisi ho?? mera dil bahut ghabra raha hai, Mujhe bahut rona aa raha hai, lekin main kisi ke samne ro bhi nahi sakta, tum bilkul bhi pareshan mat hona. Main tumhe kuchh bhi nahhi hone dunga. Main tumhe kisi bhi halat mein dhoondh hi lunga.

Aur jo koi bhi tumhe kidnap kiya hai na main use chhodunga nahi. Bas ek baar pata chal jaye ki kaun ye sab kar raha hai, Kyonki Raghu ke Akele ke bas ka to ye sab nahi hai aur na hi uske bhaai ke bas ka hai. In dono ke sath jaroor koi bada vyakti shamil hai.

Yahi sab sochte huwe Nishchal kapde pahanne laga aur Ghar walo se batakar Jaunpur ke liye nikal gaya. Kuchh ghante baad Wo Jaunpur pahuch gaya. Wo duty join na karte huwe Jawed aur Mohit se mila.

Abhi Nishchal ki do din ki chhutti bachi hui thi. Jawed aur Mohit se milne ke baad Nishchal ne dono se batchit ki aur apni chhanbin mein lag gaye. Isi tarah ye din bhi beet gaya. Tino pareshan the. Aur apni koshish kar rahe the. [/color]

[color=rgb(65,]****KOI ANJAN JAGAH PAR AGLI SUBAH*****[/color]

[color=rgb(51,]Sarita ko ek band andhere kamre mein rakha gaya tha. Jismein upar ki taraf ek chhota sa jharokha tha jo khula huwa tha. Jisme se halki halki Roshani andar aa rahi thi. baki khidki aur darwaze band tha.

Sarita ka munh, hath aur pair bandhe huwe the. Tabhi Us kamre ka darwaza khula aur ek hatta katta aadmi kamre mein dakhil huwa. Uske hath mein ek thali thi jisme khana kha. Us thali ko us aadmi ne Sarita ke samne fenkte huwe kaha.

Aadmi- Le khana kha le.

Itna kahkar usne Sarita ke hath aur munh khol diye, par pair ab bhi bandha huwa tha. Bandhan thoda sakht tha jiske karan Sarita ko dard ho raha tha aur wo karah rahi thi. Rassi kaskar bandhne ke karan uske hath mein Nishan ban gaye the. Jaise hi uske munh khula wo jor se chillane lagi.

Sarita- Kaun ho tum log?? Mujhe is tarah se pakadkar kyon laye ho?? maine tumhara kya bigada hai.

Sarita ki baat sunkar wo aadmi kuchh nahi bola to sarita ne fir se chillakar kaha.

Sarita- Bolte kyon nahi ho. Bahre ho kya. Maine kuchh poocha hai tumse. Mujhe is tarah se yaha kyon bandhkar rakha hai.

Aadmi- Mujhe iske bare mein kuchh nahi pata. Tum ye khana kha lo.

Us aadmi ki baat sunkar Sarita ne Samne rakhi plate ko apne hath se doosri taraf sarka diya aur boli.

Sarita- Mujhe nahi khana. Pahle ye batao ki mujhe is tarah yaha bandhkar kyon rakha gaya hai.

Aadmi- Abhi malik aate hi honge unke aane se pahle hi ye kaam khatam kar lo.

Sarita- Tum bahut badi galti kar rahe ho. mujhe yaha se jane do. Tumhe pata nahi hai ki main kaun hoon aur tumhare sath kya kar sakti hoon??

Aadmi- Mujhe pata hai ki tum kaun ho aur kya kar sakti ho?? main aakhiri baar tumse pooch raha hoon ki tum ye khana kha rahi ho ya main ye thali lekar bahar jaun.

Sarita- Le jao, Mujhe nahi khana. Lekin ek baat tum sab yaad rakhna ki agar main yaha se jinda bachkar nikal gayi na to tum sab mein se koi nahi bachega. Kisi ko bhi nahi chhodungi main. Kutte ki maut marungi tum sab ko.

Aadmi- Jyada sapne mat dekho tum. Ye badi badi bate karne ka koi fayda nahi hai Kyonki ye kabhi hoga hi nahi. Tum yaha se bachkar nahi ja paogi.

Itna kahkar wo aadmi jor jor se hansne laga. Wo Sarita ke paas jakar uske hath Rassi se bandh diya aur munh par tap laga diya. Sarita apne aapko chhudane ki koshish karti rahi, lekin wo safal nahhi ho payi. Wo aadmi Sarita ko bandhkar Kamre ka darwaza band karke bahar nikal gaya.

Sarita lagatar apne aapko Raasssi se aajad karane ki koshish kar rahi thi, lekin wo kamyab nahi ho pa rahi thi. Rassi ki ragad se uski kalayi chhiil gayi thi aur khoon bahne laga tha, Sarita ko dard bhi ho raha tha, [/color]

[color=rgb(65,]lekin wo kahte hain na ki jab Sir par maut khadi hoti hai to aise chhote mote dard se insan ko koi takleef nahi hoti,[/color]

[color=rgb(51,]yahi haal sarita ka bhi tha. Thodi der hilne dulne aur rassi se apna aapko chuudane ki koshish karne ka natiza ye huwa ki Rassi ki ganth khul gayi. Shayad us aadmi ne Thik se rassi mein ganth nahi lagayi thi.

Rassi ki ganth khulne ke baad Sarita ne dhire dhire hath aage pichhe karke apna ek hath Rassi se bahar nikal liya fir usne apne hath ko khola aur apni kalayi ko apne hath se pakadkar dekhne lagi.

Uski kalayi se khoon tapak raha tha, lekin abhi Sarita ke paas itna samay nahi tha ki wo apni in zakhmo par jyada dhyan de pati. Usne jaldi se apne pairo mein bandhi rassi kholi aur darwaze ki or badhi. Darwaze par pahuchkar usne darwaza kholne ki koshish ki to darwaza band tha. Sarita ye dekhkar mayush ho gayi aur kamre mein tahalne lagi.

Tabhi Sarita ka dhyan kamre ki Khidki par gaya. Wo khidki bahut purani dikhayi pad rahi thi, khidki poori lohiya ki thi. jispar jung laga tha. Jung lagne ke karan khidki jam ho gayi thi. Sarita khidki kholne ki koshish karne lagi.

thodi si koshish ke baad khidki khul gayi. Sarita ne khidki ka ek palla thoda sa kholkar dekha to bahar 4-5 Aadmi baithe huwe the. Sab kisi baat par thahaka lagakar hans rahe the.

Sarita ne Khidki se chaaro taraf ka muayna kiya. Bahar nikalne ka bas ek hi rashta tha jo un logo ke paas se hokar hi jata tha. Sarita ne Khidki poori khol di. bahar koi jali ya angle nahi laga tha jiske karan Sarita aaram se Khidki se bahar nikal gayi aur dabe panvv bahar ki taraf jane lagi. Tabhi ek Aadmi ki najar Sarita par pad gayi aur wo jor se chillaya.

Aadmi- Aree pakdo. Wo Inspectorni bhag rahi hai.

Us aadmi ka itna sun-na tha ki sab Sarita ko pakadne ke liye bhage. Ye dekhkar Sarita ne apni gati badha di. wo jitna tez ho sakta tha utna tez daud rahi thi. Usne do din se khuchhh khaya piya nahi tha, isliye wo daute huwe thak gayi thi aur Samne se aa rahe ek insan se jor se takra gayi.

Jab Sarita ne uski taraf dekha to wo Aashcharyachakit rah gayi. Use dekhkar Sarita ki aankhe chaudi ho gayi aur uski aankhin mein ek chamak si dikhaayi dene lagi.[/color]


[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 91[/color]

[color=rgb(51,]Sarita jitna tez ho sakta tha utna tez daud rahi thi. Usne do din se khuchhh khaya piya nahi tha, isliye wo daute huwe thak gayi thi aur Samne se aa rahe ek insan se jor se takra gayi. Jab Sarita ne uski taraf dekha to wo Aashcharyachakit rah gayi. Sarita ki aankhe chaudi ho gayi.[/color]

[color=rgb(51,]Idhar Sarita ko kidnap huwe Aaj tisra din tha. Raani ji, Manisha aur Aanand ji ka ro ro kar bura haal ho gaya tha. Abhishek ko abhi is baat ka pata nahi tha, kyonki in teen dino mein uska phone kai baar aaya tha lekin Sabhi itna jyada pareshan the ki unhone abhishek ko kuchh nahin batayaa.

Wo log ab Allahabaad wapas aa gaye the. Poore ghar mein matam pasra huwa tha. Tabhi Manisha ka phone bajta hai. Manisha phone dekhti hai to Abhishek ka phone tha. Manisha ne phone uthaya aur kaha.

Manisha- Hello bhaiyaa.

Abhishek- kaisi ho Manisha. Aur ghar mein sab kaise hain. Sarita kaha hai uska phone kai din se lag nahi raha hai aur na hi wo mujhse milne aayi aur na hi usne mujhe phone hi kyaa. Sab thik to hai na.

Abhishek ki baat sunkar Manisha apne aapko ab aur na sambhal saki aur sisakne lagi. Manisha ki siskari Abhishek ko sunai padi to Abhishek ne Poochha.

Abhishek- Kya huwa Manisha. Tum ro kyon rahi ho. Sab thik to hai na.

Manisha- (rote huwe) Kuchh thik nahi hai bhaiya. Kuchh bhi thik nahi hai.

Abhishek- Huwa kya hai. ye to batao.

Manisha- Bhaiya. Didiya mil nahi rahi hai.

Abhishek- Kyaaa. Mil nahi rahi hai se kya matlab hai tumhara.

Manisha- Didiya tin din se gayab hai. Use kisi ne kidnap kar liya hai. mujhe bahut dar lag raha hai.

Abhishek- Ye kya kah rahi ho tum Manisha. Ye kaise huwa. Tumne police ko bataya ya nahi.

Manisha- haan bhaiya main sahi kah rahi hoon. Maine Boss ko bata diya hai wo didiya ko hi dhoondh rahe hain. lekin abhi tak didiya ka koi pata nahi chal paya hai.

Abhishek- Ruko main baat karta hoon nishchal se.

Itna kahkar Abhishek ne phone cut kar diya. Idhar Jaunpar aane ke baad Nishchal, Mohit aur Jawed ke sath milkar Raghu aur Bachha Singh ke sare adde par puchhtachhh kar raha tha. Ek jagah use Ek admi ki harkato par shak huwa.

Wo Nishchal se baat karte huwe bahut ghabra raha tha. Ye dekhkar Nishchal ne kuchh socha aur Jawed ko kuchh ishara karke waha se chalne ke liye kaha.

Udhar Naina ji aur Mahendra ji bhi Raghav ke sath Allahabad ke liye nikal gaye the. Kuchh ghate baad wo Allahabad pahuch gaye. Wo jab Sarita ke ghar pahuche to ghar mein charo taraf dard aur dukh ke siway kuchh bhi nahi tha.

Sarita ke ghar walo ka ro ro kar bura hall tha. Naina ji aur Mahendra ji unhe samjha rahe the. Raghav bhi sabki halat dekhkar pareshan tha aur unhe samjha raha tha.[/color]

[color=rgb(65,]Ab chalte hain Sarita ke paas. [/color]

[color=rgb(51,]To Sarita jab kidnapar ke changul se bachkar bhag rahi thi to wo Samne se aa rahe kisi Aadmi se jor se takrayi thi. Jise dekhkar Sarita Aashcharyachakit rah gayi aur uske munh se nikal gaya.

Sarita- Sir Aaap yahan. Mujhe pata tha ki koi na koi mujhe bachane jaroor aayega.

Samne khada sakhs koi aur nahi balki Rawat sir the. Unhone Sarita ke kandhe ko pakad kar usase bole.

Rawat Sir- Tum Sach mein bahut bahadur ho Sarita. Kaise in logo ko chakma dekar tum bhag rahi thi, lekin ab tum bilkul bhi chinta mat karna. Main aa gaya hoon na. gin gin kar hisab lunga main.

Rawat Sir ki baat sunkar Sarita ko hausla mila aur wo Un Aadmiyo ki taraf mudte huwe bole.

Sarita- Dekha tum logo ne. maine kaha tha na ki tum logo ne mujhe pakadkar bahut badi galti kar di hai. Ab mere Sir Poori police force lekar aa gaye hain. koi bhi ab yaha se bachkar nahi ja payega. Jail mein sadoge tum sab.

Uske bolte hi sab jor jor se hansne lage. Unko hansta dekhkar Sarita ko aashcharya huwa to wo palatkar Rawat sir ki taraf dekhne lagi. Sarita ko bolne ka Rawat Sir ke upar koi asar hi nahi huwa. Wo Rawat Sir ko dekhte huwe boli.

Sarita- Sir Aap in sabko pakadte Kyon nahi hain?? Yahi wohi log hain jo mujhe yaha par lekar aaye hain. Baki sabhi log kaha hain. Nishchal Sir. Mohit, Jawed sab kaha par hain.

Rawat Sir- Koi bhi sath mein nahi aaya hai. main yaha aakele aaya hoon.

Sarita- (chauk kar) Kya. Akele. Fir in sabko ham pakadenge kaise??

Rawat Sir- Pakdenge. Jaroor pakadenge, lekin uske pahle tumhari khatirdari to achhe se kar lein.

Sarita kuchh samajh pati usase pahle hi Rawat Sir ne Aage badhkar Sarita ke bal ko pakadte huwe kaha.

Rawat Sir- Akele isliye aaya hoon. Taki main tumhe chain ki neend sula saku. Tumne waise bhi ab tak ham logo ki neende haram karke Rakh di hain.

Sarita Rawat sir ki baat Sunkar Apni aankhe chaudi karke unhe dekhne lagi. Sarita ko kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki wo kya bol rahe hain aur uske bal ko kyon pakad rakha hai. Sarita ne kaha.

Sarita- Sir ye aap kya bol rahe hain?? Aur aapne mujhe aise kyon pakada huwa hai. chhodiye mujhe dard ho raha hai.

Sarita ki baat sunkar Rawat Sir ne Sarita ke bal chhod diya aur ek jhannatedar thappad kheechkar Sarita ke gal par maar diya. Thappad itna jordar tha ki Sarita ke honth fat gaya aur usme se khoon nikalne laga.

Rawat Sir ki pancho ungaliya Sarita ke gal par turant hi chap gayi. thappad ke prahar se Sarita jameen par gir padi to Rawat Sir ne uske bal aur kaskar pakadte huwe use kheechkar upar uthaya aur chilllate huwe kaha.

Rawat Sir- Chupp. Ekdam chupp. Kitne din se main is din ka intezaar kar raha tha. Jab se aayi ho tab se naak mein dam karke rakha huwa hai. dimaag ka dahi kar hai diya tumne. Main to samajhta tha ki tum lady ho. sidhi sadi hogi, har matter mein jyada involve nahi hogi,

lekin tumne to had hi kar di. jitna koi mail officer ne aajtak mera dimag kharab nahi kiya usase jyada to tumne mera dimag kharaab kar diya hai. Jab se aayi ho mera such chain sab cheen liya hai tumne.

Itna kahakr Rawat ne Sarita ke doosre gaal par pahle se bhi jyada jor se thappad mar diya. Jiske karan Sarita ke honth dono kono se fat gaye aur khoon nikalne laga. Thappad padne ke karna wo kohani ke bal gir padi jiske karan uski kohni bhi chhil gayi thi.

Sarita ko to yakeen hi nahi wo raha tha ki Rawat Sir, Uske Rawat Sir aisa kar sakte hain. Sarita ki aankho mein aanshu aa gaye.

Rawat sir ne ishara kiya to uske Aadmiyon ne Sarita ke hath pair bandh diye. Sarita ne iska virodh kiya to Ek aadmi ne uske gal par ek jor ka thappad laga diya, Teen jordar thappad khakar Sarita bohosh ho gayi thi.

Rawat sir ne apne aadmiyo ko uske aaspaas rahne ko bola aur hosh mein aane par use inform karne ka bolkar bagal mein Rakhi kursi par apni aankhe band karke baith gaya. [/color]

[color=rgb(65,]*********[/color]

[color=rgb(51,]Idhar Nishchal Ne Jawed ko ishara karke waha se chala gaya. Kuchh der baad jawed ne Nishchal ko phone kiya aur us aadmi ke bare mein jankari di. Wo thodi jaldbazi mein ja raha tha.

Nishchal Jawed ki batai hui jagah par pahuch gaya. Wo Aadmi Bachha Singh se milne aaya tha. Nishchal ne jakar Bachha Singh ko pakad liya. Nishchal uspar chillate huwe bola.

Nishchal- Sarita ko kahan par rakha hai tumne??

Bachha Singh- Kaun Srita. Mujhe nahi pata tum kiske bare mein baat kar rahe ho DSP.

Nishchal ne Bachha Singh ko Ek ghunsa kaskar uske jabde par de diya aur bola.

Nishchal- Ab yaad aaya ya Aur lagau ek. Wahi Sarita jise tumne Rishwat ke case mein fansaya tha. Wahi Sarita jisne tumhara dhandha Is Shahar mein Chaupat kar diya hai. Jiska badla lene ke liye tumne use kidnap karwa liya.

Bachha Singh- Subah Subah bhang khakar aaye ho kya DSP. Maine kisi ka kidnap nahi kiya hai. Main to Khud apne bhaai ko lekar bahut pareshan hoon. Use jail se nikalwane ki koshish kar raha hoon.

Nischhal- Dekho Bachha Singh. Mere samne Jyada oversmart ban-ne ki koshish mat karo. Mera dimag pahlr se hi satka huwa hai tum use aur mat satkao. Sarita ke sath tumne Raghu ko bhi kahi chhupakar rakha hai. Main Aakhiri baar pooch raha hoon ki dono kahan hain.

Nishchal ki baat sunkar Bachha Singh uthkar khada ho gaya aur Nishchal ki taraf ghoorte huwe bola.

Bachha Singh- Dekho DSP. Mana ki is samay main tumhari custody mein hoon, lekin iska ye matlab nahi hai ki tum mujhpar koi bhi ilzam laga doge. Mujhe Sarita ke bare mein kuchh pata nahi hai aur Raghu ke bare mein tum kya bol rahe ho.

Maine use chhupakar rakha hai. Shayad tum bhool rahe ho ki Bachha Singh koi kaam chhupakar nahi karta. Tumhara dimag sach mein kharab ho gaya hain. Raghu ko jail mein band karke tum mujhse pooch rahe ho ki maine Raghu ko kaha chhupakar rakha hai.

Nishchal- (uska collor pakadte huwe) Raghu jail se bhaag gaya hai.

Nishchal ki baat sunkar Bachha Singh Uski taraf hairani se dekhne laga aur bola.

Raghu- Dekho DSP Agar ye tumhara mazak tha to ye bahut ghatiya mazak tha aur agar tum mujhe pakadne ke liye Raghu ke bhag jane ki khabar sunakar koi chaal chal rahe ho to ye yaad rakhna ki tum isme kabhi kamyaab nahi hoge. Bachha singh naam hai mera.

Uski baat sunkar Nishchal ne ek aur mukka uske munh par maar diya jiske karan uske munh se khoon nikalne laga. Nishchal ne Bachha Singh ka gala pakadte huwe kaha.

Nishchal- Abhi mere paas itna samay nahi hai ki main tumhari faltu ki baate sunu. Sarita ko tumhare bhaai ne kidnap kar liya hai aur Agar Wah hame nahi mila to tum samajh lena ki tumhare sath bad se bhi badtar pesh aaunga main.

Tumhe apni zindagi par pachhtawa hoga. Ye baat yaad rakhna. Isliye main jitna pooch raha hoon uska jawab sahi sahi do.

Bachha Singh- DSP. Mujhe ye bilkul bhi samajh mein nahi aa raha hai ki tum ye kya baat kar rahe ho. Main to khud neta ji ke paas use chhudane ke liye bolne gaya tha. unhone mujhe khud kaha hai ki 1 mahine ke andar Wo Raghu ko jail se bahar nikal lenge. Meri to idhar bich Raghu se koi baat hi nahi hui aur tum kah rahe ho ki Raghu jail se bhaag gaya hai.

Nishchal- Tum jhooth bol rahe ho?? Kaun nateji the uska naam batao.

Bachha Singh- Main uska naam nahi bata Sakta Inspector aur main koi jhooth nahi bol raha hoon. main manta hoon ki main ek galat insan hoon, lekin apne bhaai ko lekar main kabhi bhi jhooth nahi bol sakta.

Nishchal- Mujh tumhare upar tanik bhi wishwas nahi hai. Tumhe Abhi Shak ki buniyad par hamm police station le jayenge.

Bachha Singh- Tumhe jo bhi karna hai kar lo, par main Raghu ke bare mein kuchh nahi janta.

Nishchal- Wo Sab to main pata kar hi lunga, lekin Abhi tum hamare sath chalo.

Nishchal bacha Singh ko lekar jane laga to uske aadmiyon ne Nishchal ka rasta rok liya. Ye dekhkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Maine kaha na ki Agar tumhara in sabmein koi hath nahi hai to main tumhe chhod dunga aur yadi mujhe pata chala ki ye sab tumne kiya hai to main tumhe tumhare kiye ki saza jaroor dunga.

Isliye tum apne aadmiyo ko samjha do, kyonki is samay mujhe isase bhi jaroori kaam karna hai isliye main koi khoon kharaba nahi chahta.

Nishchal ki baat Sunkar Bachha Singh ne apne aadmi ko pichhe karte huwe kaha.

Bachha Singh- Sab log pichhe hat jao. Agar main kal subah tak wapas nahi aaya to tum wakil ko lekar thane aa jana.

(Apne man mein) Inspector ke mutabik Raghu jail se bhaag gaya hai, lekin agar wo jail se bhag gaya hai to mere paas kyon nahi aaya. Agar wo mere paas nahi aaya to wo kahan gaya hai?? Use kaun le gaya hai?? Kahi kisi ne mere bhaai se dushmani to nahi nikali aur use kuchh ulta siddha kar diya ho ya fir ye is Inspector ki koi chaal hai.

Ye to mujhe wahi jakar hi pata chalega ki aakhir ye inspector sahi kah raha hai ya jhooth.. Agar sach mein Raghu jail se bhaag gaya hai to Achha hi huwa. Kam se kam wo bahar to aa gaya hai. Nahi to ye police wale mere bhaai ke sath bahut bura bartav karte.

Inspector itne confidence se bol raha hai ki uski bato par yakin karne ko dil kar raha hai. Aur ye Inspectorni ka kya chakkar hai. Usko kisne kidnap kiya hai. Kahi Raghu ne to nahi kidnap kiya use. Ye ho bhi sakta hai, Kyonki Raghu ko us Inspectorni ne hi to pakadwaya tha. waha jakar dekhta hoon ki kya sahi hai aur kya galat hai.

Bachha Singh ke kahne ke baad Uske Aadmi samne se hat gaye to Nishchal Bachha Singh ko lekar bahar aa gaya. Nishchal ne Bachha Singh ko gadi mein baithaya aur Mohit ko bacha Singh ko le jane ke liye bol diya.

Mohit bacha Singh ko lekar chala gaya. Nishchal apni gadi mein jab baithne laga tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Phone Abhishek ka tha. Phone uthate hi Abhishek ne kaha.

Abhishek- Ye main kya sun raha hoon Sir. Sarita ko agwa kar liya gaya hai .

Nishchal- Haan Sahi suna hai aapne. Sarita ko Agwa kar liya gaya hai.

Abhishek- Kya aap thodi der ke liye mere paas aa sakte hain.

Nishchal- Abhi mujhe Sarita ko dhoondhna hai. Abhi mere paas samay nahi hai.

Abhishek- Sarita meri bahan hai. Main bhi Sarita ko dhoondhna chahta hoon isilie main aapko bula raha hoon.

Abhishek- Achha Rukiye main aa raha hoon.

Itna kahkar Nishchal Abhishek se milne ke liye chala gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 92[/color]

[color=rgb(51,]Udhar Sarita ko ab tak hosh aa chuka tha aur wo chair par baithi thi aur uske hath pair bandhe the. Rawat ko Uske aadmiyon ne Sarita ke hosh mein aane ki jankari de di thi. Wo Sarita ke samne kursi par baitha huwa tha. Sarita apne aapko chhudane ki koshish karne lagi. wo chillane lagi, lekin usko koi kamyabi nahi mili. Wo Samne baithe Rawat se boli.

Sarita- Mujhe maarkar aap ko kuchh bhi nahi milega. Main nahi to koi aur aayega jo is ladai ko aage badhayega. Is desh mein aap jaise baiman hi nahi hain, mere jaise imandar bhi hain. Aap jo ye sab kar rahe hain na ye jyada din tak nahi tik payega.

Rawat- (hanste huwe) jyada bhauk mat ladki. Maine kahi par padha tha ki jab kisi aadmi ka ant samay aata hai to wah bahut buddhimani ki bate karne lagta hai..

Sarita- (uski aankho mein dekhte huwe) maine bhi kahi padha tha ki har bure kaam ka najam hamesha bura hi hota hai aur apradhi chahe kitna bhi shatir kyon na hi. Kisi na kisi din police ke hatthe jaroor chadhta hai.

Jyada din nahi bache hain aapke paas. Nishchal Sir jaroor pata laga lenge ki aap sher ki khal mein chhupe huwe bhediye ho. Aashtin ka sanp ho aap.

Rawat- Rassi jal gayi par bal abhi tak nahi gaya. Abhi bhi tumhara rawaiya wahi hai. Par kuchh der aur. Kuchh der aur apne pankh fadfada lo, kyonki kuchh der mein main wo pankh hi kaat dunga. Is baar tumhe koi nahi bacha sakta.

Tumhara wo Nishchal Sir bhi nahi jo har baar tumhare liye sankat mochan banker aa jata tha. Wo abhi apni bahan ki shadi mein uljha huwa hai. Wo yaha par tumhe bachane nahi aayega. Aur agar aa bhi gaya to mujh tak kabhi nahi pahuch payega.

Rawat ki baat sunkar Sarita ne Rawat ko gusse se dekha. Rawat ne uske gusse ko ignor karte huwe kaha.

Rawat- Bahut jaldi tum marne wali ho, lekin marne se pahle ye to sun lo ki kyon main tumhe aise yaha par laya hoon?? jan-na nahi chahogi ki ye sab kaise huwa??

Rawat ki baat sunkar Sarita ne kuchh nahi kaha aur apna sir niche jhuka liya aur jameen ko dekhne lagi. ye dekhkar Rawat ne hanste huwe kaha.

Rawat- Are Are. Itni bahadur ladki ko aaj kya ho gaya?? Tumhare andar itni bhi himmat nahi bachi ki kuchh sun sako. Bas kuchh der tak aur intezar kar lo. Uske baad to tumhe fir jana hi hai. Sari ladkiyon ki role model ho tum, tumhara itni jaldi haar maan lena thik nahi hai. Gro up Sarita.

Tabhi ek Aadmi Andar aaya aur jor se bola.

Aadmi- Are Rawat Sir. Bechari ko itna bada jhatka laga hai, Sambhalne ke liye thoda sa wakt to dijiye. Aap hain ki uske upar chadhaai hi kiye ja rahe hain.

Rawat ne Pichhe mudkar dekha to waha par ek neta khada tha. jo khadi ke kurte payjame mein tha. Rawat ne use dekhte hi hanste huwe kaha.

Rawat- Are neta ji. Aap bhi chale aaye.

Ye wahi neta tha jisase Bachha Singh ne Raghu ko jail se chhudane ke liye sifaris ki thi. Rawat ki baat sunkar neta ne hanste huwe kaha.

Neta- Are bhaai. Tumne Sandesha bhijwaya to ham daude chale aaye. Aakhir hamein bhi to us mahaan Shakhsiyat se milne ka mauka milna chahiye jisne hamare sabse jame jamaye karobar ki kamar tod di hai.

Jiski wajah se hamare har galat aur kale karnamon ko anjam dena wale Bachha Singh jaise shatir aur Khunkhar Aadmi Jisase poora Shahar darta tha, wo bhi haar gaya to hame inse milna hi tha.

Itna bolkar neta hansne laga. Neta ki baat sunkar Sarita ne use ghoorkar dekha to Rawat ne kaha.

Rawat- Neta ji. Juban sambhal kar baat kariye Inspector Sahiba se nahi to madam ko gussa aa jayega.

Neta- (hanste huwe) Are main to sach mein dar gaya. Hahahaha Ab gusse ke alava ye aur kya kar sakti hai Rawat ji. Ise bachane ke liye ab koi aane wala nahi hai.

Rawat- (hanste huwe) Sahi kaha neta ji. Inke Pyaare Nishchal Sir to aane wale nahi hai, to ye yaha se bachkar jane se rahi. Hahahahaha.

Dono ki baat sunkar Sarita ko bahut gussa aaya aur wo chillate huwe boli.

Sarita- Tum dono jaise ghatiya insano ki wajah se hi police department aur politics dono badnam hota hai. Tum logo ki wajah se khatarnak Apradhi aaram se chhut jate hain jinhe ek officer apni jan par khel kar pakadta hai. Fir wahi apradhi aage chalkar kisi badi ghatna ko anjam deta hai.

Jaise us din Raghu ne dange ko anjam diya tha. tum jaise log is khaki aur khadi ki Garima ko bhool gaye hain. Sharam aani chahiye tum dono ko. Thoo hai tumhari zindagi par. Are main to Aapko Apna Aadarsh manti thi Sir.

Lekin aap uske layak hi nahi hain Sharam aati hain mujhe apne aap par ki maine aapko Sir kaha hai. Are Mujhe to usi din thoda shak ho gaya tha jab Mere bhaai ne mujhe tumhara chehra banakar diya tha,

bhale hi wo aankhe hi banayi thi usne, lekin Nishchal Sir ne Us tasweer par bilkul bhi bharosha nahi kiya tha. kaas wo aaj tumhara asli chehra dekh pate. Agar usi samay wo bharosha kar lete to aaj tum jail ki salakho ke pichhe hote.

Rawat- Kyaa tumhara bhaai. Use kaise pata mere bare mein. Kaun hai wo. Maine to kabhi nahi dekha aur na hi kabhi suna ki tumhara koi bhaai bhi hai. Bata ladki kaun hai wo jo meri sachhai pahle se janta hai.

Sarita- Wo to main kabhi bhi nahi bataungi. Chahe tum jo kuchh bhi kar lo, lekin ek baat yaad rakhna. Tum bachoge nahi. Nishchal Sir tumhe chhodenge nahi.

Rawat- Tum aur Tumhara wo pyara aur chaheta nishchal mera kuchh nahi bigad sakte. Agar tum dono ko pahle bhi pata hota tab bhi mera kuchh ukhad nahi sakte the tum dono. Salo se main is kaam mein involve hoon.

Kitne hi officer ko maine apne inhi hatho se maut ki neend sulaya hai. Jinhone meri asaliyat jani wo zinda nahi bacha. Tumhara bhaai aur tum bhi zinda nahi bachoge. Main use dhoondh nikalunga aur kutte ki maut marunga. [/color]


[color=rgb(51,]Sarita- (chillakar) Chup kar kamine. Harami insan. Police ke naam par kalank hai tu. Kabhi mere b[/color][color=rgb(51,]haai ka pata nahi laga paega tu kutte. Aur tu jyada din tak nahi bachega. Main mar bhi gayi to bhi koi gam nahi hai lekin tujhe nishchal Sir jaroor marenge.

Rawat- Chup kar ladki. Kab se dekh raha hoon ki Nishchal Nichchal ki mala jape ja rahi hai. Kya lagta hai wo tera mujhe ye samajh mein nahi aa raha hai. Ek baat tu jan le. Tumne mera asli chehra dekh liya hai.

Kyonki tumne bahut gadar macha rakkha tha mere dhandhe mein. Agar tum bhi shanti se apna kaam karti to kabhi bhi meri asaliyat nahi jan pati jaise aur log nahi jan paye hain. Agar Nishchal bhi meri asaliyat jaan gaya to wo bhi marega.

Sarita- Agar tumhe Mujhse itna hi khatra tha. to tumne mujhe pahle kyon nahi Marwa diya?? Abhi tak kyon intezar kar rahe the?? Kyon jinda rahne diya tumne mujhe??

Rawat- Sab batata hoon Sarita. Thoda sabar to karo. Aakhir meri itni honhar aur kabil officer ho to tumhara sabkuchh jan-ne ka hak banta hai aur main nahi chahta ki tum suspene mein maro.

Sarita ne Rawat ki baat sunkar use ghoorkar dekha to Rawat ne hanste huwe kaha.

Rawat- Chalo ab aur jyada suspence na rakhte huwe main tumhe sab bata hi deta hoon. marne se pahle tumhara yah jan lena jaroori hai ki Kyon aur kisliye tumhara apaharan huwa hai??

To karan ye hai ki tumne jab se PS join kiya hai tab se hamare sare gairkanuni dhandho par grahan ban kar chhayi ho. Un ladkiyon ko bhi tumne chhudwa liya. Tumhe pata hai ki mera kitna bada nuksan huwa hai.

Karodo ki deel hui thi un ladkiyo ki, lekin tumne mere karodo rupayo par pani fer diya. Fir raid Markar hamara arabo rupaye ka Drugs, ganja aur heroen bhi tumne pakad liya. Maine socha tha ki Bachha Singh tumhe sambhaal lega, par us gadhe se yah kaam bhi na ho paya.[/color]

[color=rgb(51,]Sabhi ladkiyo aur Drugs, heroen ko tumne apne undar mein rakh liya. Us din se tum meri najaro mein chadh gayi thi. Maine tumhe jitna siddha samajhne ki bhool ki thi shuruaat mein. Samay ke sath meri wo bhool mujhe hi bhari padne lagi. main to kab se isi firak mein tha ki kab tum mere hath lagogi.

Tumhari wajah se Mujhe Raghu ko jail se bhagana pada. Jisase tumhare katal ka sara iljam us par aa jaye. Kyonki Sabhi jante hain ki Raghu ko tumne hi pakadwaya hai to tumhari hatya ke baad log yahi maanenge ki Raghu ne jail se bhagkar apna badla poora karne ke liye tumhari hatya kar di.[/color]
[color=rgb(51,]Raghu ko hamne aisi jagah chhupakar rakha hai ki wo kabhi bhi waha se bhaag nahi sakta aur na hi police us tak kabhi pahuch sakti hai. Police use dhoondhte dhoondhte thak jayegi lekin wo milega nahi.

Jab tak police Raghu ko dhoondhne mein lagi rahegi tab tak ham apne kaam ko anjam de dekar Raghu ko chhod denge. Fir Tumhare katal ke iljam mein police Raghu ko pakad legi aur ham log Saf bach jayenge.

Rawat ki baat sunkar Sarita ki aankhe fati ki fati rah gayi. Usne kabhi socha nahi tha ki police department mein rahkar Rawat uske khilaf itni badi sajish kar raha hai. Rawat ne muskurate huwe kaha.

Rawat- Are abhi se mat chauko abhi to maine shuru kiya hai. Abhi aur suno. Bachha Singh aur Raghu hamare hath ki kathputli hain. Ham jaisa bolte hain waisa hi wo dono karte hain.

Hamari wajah se hi un dono ko ye sab chhuut mili hai jo wo bedhadak har kaam ko anjam dete hain. Tumhari hatya ke baad police Raghu ke pichhe lag jayegi aur ham tak kabhi nahi pahuch payegi.

Sarita- tum nihayat hi ghatiya aur kamine insan ho. Tum apne swarth ke liye Raghu aur Bachha Singh ko phansana chahte ho. Mana ki wo dono gunahgaar hain, lekin Un dono se bada gunahgaar to tum ho. Tum bachoge nahi. Aur Ye tum baar baar hamare hamare bol rahe ho.

Tumhare sath koi aur bhi hai kya, Kyonki mere bhaai ne tasweer mein jo do aankhe banayi thi. Wo tumhari aur is neta ki hai. Is neta ko dekhkar main samajh gayi ki doosri Aankh isi neta ki hai. Lekin mujhe lag raha hai ki tumhare sath koi aur bhi mila huwa hai. Mujhe batao kaun hai wo.

Rawat- Abhi tumne mera ghatiya aur kaminapan dekha hi kaha hai aur itni jaldi bhi kya hai doosre insan ke bare mein jan-ne ki. Bahut jaldi tumhe us mahapurush ke darshan bhi ho jayenge. Lekin abhi to tumhe aur bhi kuchh batana hai.

Sarita- Bako kya bakna chahte ho.

Rawat- Are itni berukhi. Ye achi baat nahi hai Sarita. Main jaisa bhi hoon. Aakhir hoon to tumhara Rawat Sir hi. Haan to main kah raha tha ki tumhe yaad hoga ki tumhare upar corruption ka aarop laga tha. wo shubh kaam maine hi karwaya tha maine hi CBI Officer Pradhan ko phone karke ye jankari di thi.

Par Tumhari Kismat bahut Achhi thi ki Nishchal ko chull mach gayi tumhe nirdosh sabit karne ki. Nishchal ne poori jaan laga di thi tumhe nirdhosh sabit karne mein. Aakhir kar wo safal ho hi gaya aur tum bach gayi.

Pata nahi Nishchal ko tum-me itna interest kyon hai. Kyon wo tumhein har baar bachaane aa jata hai. Kahin tumhare aur Nishchal ke bich kuchh chal to nahi raha hai. Matlab Tum use kuchh deti ho jiske karan wo tumhari jaan bachataa ho. maine suna tha ki tum uske ghar mein rahti thi. Kahin tum uski keep to nahi ho.

Rawat ki baat sunkar Sarita krodh se kanpne lagi aur funfkarte huwe boli.

Sarita- Apni jubaan ko lagaam de Rawat. Nahi to teri Jubaan kheench lungi main. Tu jitna ghatiya insaan hai usase bhi jyada ghatiya teri soch hai. Tu kya jane kisi ke prem ko kisi ke vishwash ko, kisi ke apnepan ko. Tujhe to Rishton ko todnaa ataa hai. Rishto ki ahamiyat ko tu kya jane.

Tujh jaise neech insan ko mere aur nishchal Sir ke rishte ke bare mein baat karne ka koi adhikaar nahi hai. Wo Bas mere boss hain aur main unke undar kaam karti hoon, isliye wo mujhe bachaate hain.

Meri jagah agar koi aur bhi musibat mein huwa to bhi Nishchal Sir wahi karenge jo wo mere liye karte hain. Itne din mein to main itna jaan hi gayi hoon ki Wo kitne achhe insan hain, lekin main tujhe kyon ye bata rahi hoon. Teri soch hi ghatiya hai to tu ghatiya hi sochegaa.

Sarita ki baat Sunkar Rawat ne Sarita ka munh pakad liya aur dabane laga. Jiske karan Sarita ko dard hone laga to wo apna chehra idhar udhar karne ki koshish karne lagi. Rawat ne uske munh ko dabakar jhatke se chhodte huwe kaha.

Rawat- Jitna uchhalna hai, jitna chillana hai chilla le. Tujhe yahan bachaane is baar tera wo yaar Nishchal nahi aayegaa. Aur tu itna bhadak kyon rahi hai. Main sahi to kah raha hoon. Khair jane de. Tujhe suspence me nahin rakhta hoon aur aage ki kahaani batata hoon.

Main kah raha tha ki jab nishchal ne tujhe bacha liya rishwat wale jhuthe case se to Mera poore kiye karaye par pani phir gaya tha. Mujhe bahut gussa aa raha tha. fir mere aadmiyon ne tumhare ghar par tumpe hamla bhi kiya lekin fir se Us Nishchal ne aakar tumhe bacha liya..

Maine gupt roop se tumhara Transfer bhi karwane ke liye poora jor laga diya tha, lekin pata nahi ye baat Nishchal ko kaise pata chal gayi aur usne apne baap Mahendra se kahkar CM ko tumhara transfer rokne ki sifarish kar di aur CM ke yaha se head Quarter mein letter aaya ki Tumhara Tranfer bina unke Aadesh ke na kiya jaye.

Us samay mujhe itna gussa aaya ki man kar raha tha ki tumhe usi samay jan se maar doon. Lekin main sahi mauke ki talash karne laga. Hospital mein bhi maine tumhe marne ka socha tha, lekin Nishchal ne Poore hospital mein Police ka jaal bicha rakha tha,

Har Wakt ya to Uske dono chamche ya to Mohit tumhari suraksha mein rahta tha ya Jawed tumhari surakhsha mein rahta tha. Un dono ke hote huwe main tumhara kuchh nahi bigaad sakta tha.

tab maine socha ki tumhe aise samay nishana banaunga jab Samay Hamare anukool ho aur tumhare aas paas na Nishchal ho aur Na hi uske dono chamche mohit aur jawed aur dekho aaj wo samay aa gaya hai.

Itna bolkar Rawat jor jor se hansne laga. Uske Hansne se Sarita ko bahut gussa aa raha tha, Lekin wo chah kar bhi kuchh nahi kar sakti thi. Nishchal ke bare mein itna kuchh jankar use nishchal ki bahut yaad aane lagi.

Sarita ne apni aankhe band kar li to uske jehan mein Nishchal ke sath bita huwa ek ek pal yaad aane laga. Uski aankho se aanshu nikalne lage. Mano ab wo aanshu Nishchal ke sath bitaye huwe pal ko baha le jana chahte ho.

Neta Sarita ko giddh jaisi najaro se dekh raha tha. Sarita ki aankho mein aanshu dekh kar wo aage badha aur Sarita ke paas jakar khada ho gaya. wo hath badha kar uske chehre ko chune laga aur uske aanshu pochhte huwe bola.

Neta- Tumhare is khoobsurat chehre par ye aanshu bilkul bhi ache nahi lagte. Chup ho jao meri jaan. Aise rote nahi.
Neta ke chhune se Sarita ko bahut jor ka gussa aaya aur wo chillate huwe boli.

Sarita- Haath bhi mat lagana mujhe kamine. Nahi to bahut bura hoga tere sath. Door hat mujhse.

Sarita ki baat ka neta ke upar koi prabhav nahi pada aur wo apne kaam mein laga raha to Sarita ne uski ungli apne munh mein le li aur jor se kaat liya. Jiske karan uske munh se cheekh nikal gayi. Usne gusse mein kheechkar ek thappad Sarita ko mara aur bola.

Neta- Sali. Kutti kamini. Hamse panga le rahi hai. Abhi tak to bas chehra hi chhu raha tha, lekin tune mujhe dant katkar achha nahi kiya. Ab tu pachhtayegi aur us wakt ko kosegi jab tune ye harkat ki thi.

Fir neta Rawat ki taraf dekhne laga. Rawat ne apni gardan hilakar ishara kiya to usne kaha.

Neta- Sabse pahle to iski akad todenge fir ise marenge. Ham sab milkar pahle iske Is khoobsurat badan ko masalenge. Ise rulayenge, tadpayenge. Ise bahut ghamand hai na apne hushn par. To pahle iske hushn ka bhog lagayenge fir ise marenge. Aakhir aisi najuk aur khilti hui khatarnak kali ham logo ko dobara milne se rahi.

Neta ki baat sunkar Sabhi ki aankho mein vasna bhar gayi aur sabhi Sarita ke jism ko hawas bhari najar se dekhne lage.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 93[/color]

[color=rgb(51,]Neta ki baat sunkar Sabhi Jor jor se hansne lage aur Sarita ke jism ko ghoorne lage. Ye dekhkar Sarita ko thoda dar lagne laga aur wo boli.

Sarita- Tum mujhe marna chahte ho to maar do. Abhi maar do mujhe. Isase achha mauka tum logo ko kabhi nahi milega, Kyonki agar main yaha se bachkar nikal gayi to tum sabko kutto se bhi badtar maut dungi. Isliye der mat karo aur mujhe maar do.

Rawat- Maar denge. Maar denge. thoda sabar to rakhiye inspector Sahiba. Abhi tum neta ji aur hamara manoranjan to karo. Tumhari wajah se hi neta ji gussa huwe hain to unka gussa tumhe hi shant karna hoga.

Agar unka gussa shant ho gaya to shayad tumhari izzat ke chithade nahi udenge. Pahle hame khush aur tript kar do apni jawani se fir aaram se mar jana.

Sarita- (chillate huwe) Aisa kabhi nahi hoga. Main mar jaungi magar tum logo ko apne jism ko hath bhi nahi lagane dungi. Tum sab kutte ho kamine ho, namak haram ho. bahut buri maut maroge tum sab.

Neta ne waha par khade ek aadmi ko ishara kiya to wo Sarita ko pakadkar ghasit-ta huwa ek kamre mein le gaya. Sarita chahkar bhi kuchh nahi kar paa rahi thi. uske hath panv bandhe huwe the.

Do din se usne kuchh khaya piya nahi tha to uske sharir mein jyada jaan nahi bachi thi. use samajh mein nahi aa raha tha ki wo kaise apne aapko in haiwano se bachaye?? Uski aankho se jhar jhar aanshu bah rahe the.

Wo Aadmi Sarita ko kamre mein chhodkar chala gaya. Kuchh der baad neta kamre mein aaya to Sarita kamjori ke karan behosh ho chuki thi. Neta uske paas aakar use hosh mein lane ki koshish kar raha tha. par wah aise hi padi rahi. Neta gusse mein kamre se nikalkar Rawat ke paas gaya aur bola.

Neta- Wah to behosh ho gayi hai Rawat.

Rawat- (muskurate huwe) Aapko jo bhi karna hai wo aap kar lijiye na. isase kya fark padta hai ki wo hosh mein hai ya behoshi mein. Behoshi mein bhi Maza utna hi degi wo jitna hosh mein rahne par deti.

Rawat ki baat sunkar Neta ko aur bhi jyada gussa aa gaya aur wo apne hatho ki ungli Rawat ko dikhata huwa bola.

Neta- Kaise nahi matlab hai Rawat. Usne hame apne pure hosho-hawas mein yah Nishan diya hai to ham bhi uske hosh mein aane ke baad hi uski izzat tar tar karenge. Aakhir mujhe uski cheekh jo sun-ni hai. aise mauke par jab tak Kamsin kali chillati nahi hai roti nahi hai tab tak mujhe maza nahi aata.

Rawat- Tum tharki ke tharki hi rahoge.

Neta- Tum bhi kuchh kam nahi ho.

Rawat- Lekin abhi hamare paas jyada samay nahi hai. Sir aate hi honge.

Rawat ki baat sunkar Neta ne paas khade ek aadmi se kaha.

Neta- Ek jug pani lejakar uske munh par dalo aur koshish karo ki wo hosh mein aa jaye.

Neta ki baat sunkar wo Aadmi ek jug pani lekar gaya aur Sarita ke munh par dal diya. Jisase Sarita ko hosh aa gaya. Usne neta ko kamre mein bulaya. Neta ne us aadmi se kaha.

Neta- Iske hath pair khol do. Tabhi ise chakhne mein maza aagyega. Ab ismein itni takat nahi hai ki ye yaha se bhaag paye.

Neta ki baat sunkar wo aadmi Sarita ke hath panv ki rassi kholne laga. Rassi khul jane ke baad Sarita ne us aadmi ko jor ki ek lat mari. Jiske karan wo aadmi piche gir pada. Uske girne ke baad Sarita furti se khadi hui aur us aadmi ki gun utha li jo usne uski Rassi kholte samay rakhi thi.

Gun uthane ke baad Sarita ne us aadmi par fire kar diya. Kamre mein goli chalne ki aawaz sunkar Sab kamre ki taraf badhe. Neta dar ke mare side ho gaya to Sarita kamre se bahar aa gayi. Sarita ke hath mein gun dekhkar Sab dar gaye. Sarita ne Turant Nishana Rawat ki taraf karte huwe kaha.

Sarita- Agar kisi ne bhi ek bhi kadam aage badhane ki koshish ki to main Rawat ka bheja uda dungi. Sabhi apni apni gun niche kar lo.

Sarita ki baat sunkar Sabhi ne apni gun niche kar li. Rawat ne apne ek aadmi ko aankho se kuchh ishara kiya to wo aadmi dhire dhire niche baithne laga. Uske pair ke paas ek patther tha. usne patthar uthakar Sarita ke hath par mara.

Nishana achuk tha to pathhar siddha Sarita ke hath par laga aur uske hath se gun chhut kar niche gir padi. Sarita gun girte hi turant use uthane ke liye jhuki tab tak Rawat ne apni gun nikal li Jab Tak Sarita gun uthati tab tak Vatavaran mein goli chalne ki aawaz goonj gayi.

Gun ki Aawaz gunjane ke baad Waha Sannata chha gaya. Gun na hi Sarita ne chalayi thi aur na hi Rawat ne chalayi thi. Sabhi Aawaz ki disha mein dekhne lage to Unhe Samne se Nishchal, Jawed aur Mohit ke sath Aata huwa dikhayi diya.

Sarita ne Jab Nishchal ko aata huwa dekha to uski aankhon mein ek chamak aa gayi. Wahin Rawat aur neta Nishchal ko yaha par dekhkar hairan rah gaye.

Rawat man hi man badbadaya- ye yaha par kya kar raha hai aur yaha par pahuch kaise gaya. Ye to apne ghar gaya huwa tha.

Rawat ne Nishchal ko dekhkar kaha.

Rawat- Tum. Tum yaha par kaise pahunche.

Sarita ko is halat mein dekhkar Nishchal ke man mein tufaan uth raha tha, lekin usne apne aapko sanyat karte huwe apne jabde ko bhijate huwe kaha.

Nishchal- Itna Chakit hone ki jaroorat nahi hai Sir. Aap sabke paas bhagne ka koi bhi mauka nahi hai isliye bina koi chhu chapad ke apne aapko serender kar dijiye. Warna yahan par lasho ke dher lag jayenge aur uske jimmedar aap sb khud honge.

Nishchal ne ek ek shabd chaba chaba kar kahe the. Uski aankhon se Angare baras rahe the. Nishchal ne jab Sarita ki taraf dekha to wo Aas bhari najaro se use dekh rahi thi. Sarita ki dard bhari aankhe dekhkar Nishchal ka dil hi ro pada. Usne Sarita ko dekhte huwe Apni bahein khol di.

Sarita ne jab ye dekha to wo khud ko sambhal na payi aur Tezi se Nishchal ki or bhagi, lekin isase pahle wo Nishchal ke paas pahuchti. Rawat ne uska hath pakadkar apne paas kheech liya aur uski kanpati par gun taan di. Nishchal ne jab ye dekha to uski aankho mein jaise khoon utar aaya aur wo chillakar bola.

Nishchal- Sarita ko chhod do. Nahi to koi bhi yaha se zinda nahi ja payega.

Rawat- (hanste huwe) Mujhe tum bewkoof samajh rahe ho. Mujhe pata hai ki jab tak ye hamare sath hai tab tak tum kuchh bhi nahi kar sakte. Main tumhari aankho ke samne hi ise marunga aur tum khade khade tamasha dekhoge. Kuchh kar nahi paoge.

Fir Rawat neta ki taraf dekhte huwe bola.

Rawat- Sabhi mere pichhe pichhe aao. Jab tak ye chidiya mere kabje mein hai tab tak koi bhi goli nahi chalayega.

Nishchal Rawat ki baat sunkar Apne man mein sochne laga ki ab ise iski asli aukat dikhani padegi. Mujhe kuchh aisa karna padega jisase ye yaha se bhag na paye. Yahi sab sochkar nishchal ne kaha.

Nishchal- Maine aapko apne pita ke saman mana tha. Hamesha aapka samman kiya. Aapki har baat mani, lekin mujhe nahi pata tha ki aap aise nikloge.

Rawat- Main bhi tumhe apna beta manta tha aur abhi bhi manta hoon. Isme koi shak nahi ki tum ek honhar aur kabil police officer ho. tum chaho to mera sath de sakte ho. Ham Poore desh mein raaj karenge.

Kya rakha hai aise imaandar banker Naukari karne mein. Bas mahine ke aakhir mein ek bandhi bandhai pagar. Jisase ghar bhi bahut mushkil se chalta hai. mahina khatam hote hote paiso ke lale pad jate hain. aisi naukari mein kya bhavishya hai tumhara. Mere Saath aa jao tumhe ek hi raat mein karodpati bana dunga.

Nishchal se Baat karne ke baad Rawat ne apne Aadmiyo se kaha.

Rawat- Abhi koi goli nahi chalayega, kyonki ye 3 log hi hain. Agar kuchh bhi hoshiyari karein ye log to uda dena par abhi mujhe samjhane do.

Nishchal ne apna dimag lagaya aur use yahi sahi laga ki Rawat ko bato mein uljhaye rakhna chahiye aur koi aur Rasta sochna chahiye jisase wo Sarita ko Sahi salamat uske changul se chhuda sake. Rawat ki baat sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Aapko shayad pata nahi hai ki main kiska beta hoon. Karodo rupaye mere liye koi mayne nahi rakhte. Mere paas khud hi arbo kharbo ki sampatti hai. Mujhe in paiso ka koi moh nahi hai.

Agar paiso ka moh hota to main Apne papa ka business sambhal raha hota, ye 50000 - 60000 Rs. Ki naukari nahi kar raha hota.

Rawat- Wo Arbo kharbo ki sampatti tumhari nahi hai Nishchal. Wo tumhare baap ki hai, jisme se tumhe kuchh lene ke liye apne baap ki permission leni padegi. Lekin mere sath rahne par tumhara khudd ka paisa hoga.

Tumhe abhi lag raha hai ki tumhe paiso ki jaroorat nahi hai, lekin jab tumhari shadi hogi, bal bachhe honge tab tumhe paiso ki ahamiyat ke bare mein pata chalega. Isliye meri baat maan lo aur mere sath aa jao.

Nishchal- Aaap aisa kaun sa kaam karte hain jo mujhe rato raat karodpati bana denge.

Rawat- Pahle tum ek baar hamare dhandhe mein ghuso to sahi fir tumhe sab apne aap hi pata chal jayega ki ham kaun sa kaam karte hain. nahi to wahi roj imaandari ki naukari karte-karte ghis jaoge.

Nishchal- Aapko sharam aani chahiye Aisi baatein karte huwe. Aap jaise logo ki hi wajah se logo ka police par se bharosha uth chuka hai. aap jaise logo ki wajah se hi apradhi khuleaam apradh karke bach nikalte hain, Kyonki unko pata hai ki wo chahe kuchh bhi kar le, unko chhudane wala to police deparment mein hi hai.

Apradhi ko ham log pakadne pahuchte hain to pata chalta hai ki use pahle se hi hamare aane ki information mil gayi hai aur wo aaram se waha se nikal jata hai.

ye to nahi pata ki department ke kitne log aapse mile huwe hain, lekin mujhe poora vishwas hai ki Amit ko bhi aapne aise hi fansaya hoga. Aapko apne ohade ka galat use karte huwe tanik bhi sharam nahi aayi.

Rawat- (hanste huwe) Ohhhhh Amit.. poor boy. Use to meri asaliyat pata hi nahi hai. wah to itna lalchi tha ki Bachha Singh ke thoda sa hi lalach dene par maan gaya tha.

ye badi badi bate jo tum kar rahe ho na usase zindagi nahi chalti hai Uske liye Khoob sara paisa chahiye jo ki mehnat aur Imandari ki Naukri mein nahi mil sakta hai.

Nishchal- Milta to bahut kuchh hai imandari ki Naukri karke par aap jaise log kabhi bhi nahi samajh sakte is baat ko. Agar Imandari ki naukari karne par kuchh bhi na milta to main aaj apne papa ka business sambhal raha hota. ye DSP ki Naukri nahi kar raha hota.

lekin aap jaiso ko ye batane se koi matlab nahi hai. Kyonki aapka jameer mar chuka hai. Aapki insaniyat mar chuki hai. Aap jo ye sab kar rahe hain na. ek samay aisa jaroor aayega jab aapko apne aap par hi sharam aayegi. Chain sukun neend sab kuchh chhin jayega fir aap bas apne aapko kosne ke alava aur kuchh nahi kar payenge.

Rawat- In faltu ki bato mein kuchh bhi nahi rakha hai. Abhi bhi samay hai tum chaho to hamare sath hath mila sakte ho.

Nishchal- Jab aapka hath milane layak bachega tab to.

Itna kahkar Nishchal ne uske hath par nishana lagaya aur gun chala di. Lekin Rawat ne Firti dikhate huwe apne aapko bacha liya aur bola.

Rawat- Nishchal. Tumne bahut badi galti kar di. Ab Ye ladki nahi bachegi.

Itna kahkar Rawat Ne Sarita ki banh ko kaskar pakada aur gun ka dabav Sarita ki kanpati par badhakar drigar dabane laga. Rawat Isase pahle ki Drigar daba pata Ek goli Aakar uske kandhe par lagi.

Jiske karan uske hath se banduk chhutkar gir padi. Rawat ladkada gaya aur uski pakad Sarita ki banh par kamjor pad gayi. yahi sahi mauka tha Sarita ke bach nikalne ka. Sarita Rawat ka hath jatak kar Nishchal ki paas chali gayi.

Sabhi ne Goli chalne ki disha mein dekha to Waha par Amit khada huwa tha. Amit ko dekhkar Nishchal, Mohit, Sarita, Jawed aur Rawat Sabhi chauk gaye. Nishchal ne Amit se kaha.

Nishchal- Amit. Tum yaha.

Amit- Jai hind Sir.

Nishchal- Pahle tum ye batao ki tum yaha kya kar rahe ho. tum bhi to Inke aadmi ho to tumne Inpar goli kyon chalayi. Tum yaha par pahuche kaise.

Amit- main manta hoon ki maine anjane mein in logo ka sath diya hai. lekin mujhe apni galti ka ehsas ho gaya hai. mujhe Bachha singh ke ek aadmi se pata chala ki Madam ko kidnap kar liya gaya hai aur Isliye aapne Bachha singh ko pakad liya hai.

Mujhe ye jankar bilkul bhi achha nahi laga, Kyonki madam ne jo kiya tha abhi tak bilkul sahi kiya tha. Main bhi apni bhool sudharna chahta tha isliye main bhi madam ko khojne ke liye nikla tha, lekin tabhi maine aapko dekha aur apke pichhe lag gaya.

Main yaha par tabhi se hoon. Jab se aap yaha par hain, lekin main samne isliye nahi aaya ki mujhe laga ki ho sakta hai ki samne aakar main aapki koi madad na kar paun jo main chhupkar aapki madad kar pata.

Isliye main ek kone par chhupkar sab kuch dekh aur sun raha tha, jab Rawat Sir ne madam ko marne ki koshish ki to mujhe laga ki ab mujhe samne aa jana chahiye Sir.

Nishchal- Tum mujhe Sir kahne ka hak kho chuke ho. Tum bhi Rawat ki tarah gaddar aur dhokhebaz ho. tumhare munh se jai hind Shobha nahi deta.

Amit- main manta hoon ki maine bahut si galti ki hai, lekin mujhe apni galti aur dhokhe ka ehsas ho gaya hai. Jis din se aapne mujhe Barkhast kiya Us din se main chain se so nahi paya hoon.

Meri patni ko jab ye baat pata chali to wo bhi mujhe chhodkar chali gayi. wo bolti thi ki wo kisi mehnat majdoori karne wale aadmi ke sath to rah sakti hai lekin ek gaddar aur dhokhebaz insan ke sath nahi rah sakti. jo aadmi apni Wardi se Wafadari nahi kar saka wo mere sath kya wafadari karega.

Us din mujhe mahsoos huwa ki maine paise ki lalach mein Kinta bada apradh kar diya. Main manta hoon Sir ki meri is galti ki koi maafi nahi hai. lekin fir bhi mujhe ek mauka dijiye. Main sabit kar dunga ki main bhi Mohit Sir aur Jawed Sir ki tarah Imandari se desh ki sewa karunga.

Bade se bade gunde ko bhi Court Sudharne ka ek mauka deti hai Sir. Kya aap mujhe sudharne ka ek mauka nahi denge.

Rawat jo bahut der se unki baatein sun raha tha. wo Amit se bola.

Rawat- Amit. Ye tum kya kah rahe ho. tumhe yaad nahi hai ki Nishchal ne hi tumhe naukari se nikala tha aur aaj tum usi ke samne gidgida rahe ho.

Rawat ki baat sunkar Amit ko bahut gussa aaya aur wo jakar Rawat ki gireban pakadta huwa bola.

Amit- Chup. Bilkul chup. Main manta hoon ki main thodi der ke liye apne kartavya se bahak gaya tha, lekin main tere tarah begairat insan nahi hoon jo itna niche gir jaun. Thodi der pahle tune kya bola tha mujhe. Poor boy.

Haan main poor boy tha us samay jo tere bichhaye huwe jaal mein fans gaya tha, lekin ab aisa nahi hoga. Mujhe pata hai ki main kya kar raha hoon. Mujhe teri Salah lene ki jaroorat nahi hai Rawat.

Abhi ye log baat kar hi rahe the ki Waha par ek aawaz gunji.[/color]

[color=rgb(65,]Kya ho raha hai yahan par.[/color]


[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 94[/color]

[color=rgb(51,]Abhi Rawat aur Amit dono baat hi kar rahe the ki Waha par ek aawaz gunji.[/color]

[color=rgb(65,]Kya ho raha hai yahan par.[/color]

[color=rgb(51,]Sabhi ne aawaz ki disha mein dekha to Wahan par DIG Sir apne aadmiyo ke sath waha par Khade the. DIG ko waha dekhkar Sarita, Nishchal, Jawed aur Mohit chauk gaye. DIG sir ko dekhte hi Sabhi ne unhe selute kiya. Nishchal ne DIG se kaha.

Nishchal- Sir Aap yaha par.

DIG- Haan Mujhe khabar mili thi ki Sarita ko kidnap karke yahi par rakha gaya hai.

Nishchal DIG ki baat sunkar Nishchal sochne laga ki Usne Sarita ki kidnaping ki khabar kewal Uske kuchh bharoshemand Offiers ko hi batayi hai. Fir DIG Sir ko kaise pata chala ki Sarita ko kisne kidnap kiya hai.

Kahi ye to nahi mile huwe hain Rawat ke sath. Are nahi nahi. Ye main kya soch raha hoon. Sir kaise ho sakte hain. Nishchal ko is tarah se sochta huwa dekhkar DIG Sir ne kaha.

DIG Sir- Kya soch rahe ho Nishchal. Mujhe Thane ke ek hawaldar ne bataya ki tum Sarita ko khoj rahe ho to maine socha ki apne department ki ek kabil officer ko khojne mein main bhi tumhari koi madad kar doon. Isliye main tumhare pichhe pichhe chala aaya. Lekin yaha aakar dekhta hoon ki mere hi department ke officer ne Sarita ko kidnap kiya hai.

Nishchal- Achha huwa ki aap aa gaye Sir. IS kidnaping ke pichhe Rawat Sir ka hath hai. ye gaddar hain aur illigale kaam karte hain.

DIG Sir- Kya. Ye sab Rawat ne kiya hai. Rawat tumne department ko dhokha dekar bahut badi galti kar di. tumhare kiye ki saza main tumhe dunga. Kyonki desh ke sath gaddari karne wale mujhe bardast nahi hain. Apni gun mujhe do. Main khud Rawat ke bachhe ko maut ki neend sulata hoon.

DIG ke kahne par Nishchal ne apni Gun DIG ko de di. DIG ne gun lekar Rawat ki taraf point karte huwe kaha.

DIG Sir- Bolo Rawat tumne aisa kyon kiya. Kyon desh ke sath gaddari ki. Kyon Police department ko dhokha diya. Main tumhe chhodunga nahi. Agar tumhari koi aakhiri khwahish ho to wo kaho nahi to marne ke liye taiyar ho jao.

Rawat- Sir. Mujhse bahut badi galti ho gayi. main aage se aisi galti nahi karunga. Mujhe maaf kar do.

Itna kahkar Rawat jor jor se hansne laga. Use hansta dekh kar sabhi Uski taraf dekhne lage. Sarita, Mohit, Jawed, Amit ko kuchh samajh mein nahi aa raha tha. Nishchal ne Rawat se kaha.

Nishchal- tum pagal ho gaye ho kya. Maut tumhare sir par khadi hai aur tum hans rahe ho.

Rawat- Maut aur mere sir par. Lagta hai tum pagal ho gaye ho jo apni Gun DIG Sir ko de di tumne. Udhar dekho.

Nishchal ne jab DIG ki taraf dekha to usne Gun Sarita ki kanpati par lagayi hui thi. Nishchal ne ye dekhkar kaha.

Nishchal- Ye aap kya kar rahe hain Sir. Aap Rawat ko marne ke bajay Sarita ki taraf point kyon karke khade huwe hain.[/color]


[color=rgb(51,]DIG- (hanste huwe) Tum bhi bahut bhole ho Nishchal jo abhi tak nahi samajh sake ki main wo nahi hoon jo tum soch rahe ho. main wo hoon jo tum soch nahi sakte. Rawat mera hi Aadmi hai.

Main aur Rawat milkar Barso se ye kaam karte aa rahe hain lekin aaj tak kisi ko pata nahi chala ki Shahar mein jitni bhi gair kanuni gatividhiyan ho rahi hai usme hamara hi hath hai. Bachha singh to hamare hatho ki kathputli hai. Ye neta bhi ham logo ke sath hi hai.

Rawat boss aur main Sarkaar hoon Apne chamcho aur Bachha singh ke liye. A[/color]
[color=rgb(51,]gar kisi ko hamara raaz pata chala to wo sidhe bhagwan ke paas pahuch gaya. Hamne na jane kitne katal kiye hain apne dhandhe ko aage badhane ke liye.

Lekin jab se ye ladki aayi hai. Isne hamari naak mein dam karke rakh diya hai. Baki ka to tumhe Rawat ne bata hi diya hoga ki ham ise marne ke liye kidnap kiye hain. to ab tum bhi dekho iski maut ka najara.

Nishchal- Lekin Bachha Singh se to aap baat nahi karte the. Usase to ye rawat aur ye neta hi baat karta tha. To sarkaar aap kaise ho gaye. Aap jhunth bol rahe hain na Sir.

DIG- Tumhein kaise pata chala iske bare mein ki main Baat nahi karta tha Bachha Singh se. Tumhein kaise pata chala ki Rawat aur neta baat karte the bachha Singh se.

Abhi Nishchal kuchh kahta usase pahle hi Rawat bol pada.

Rawat- Sir wo Sarita ka koi bhaai hai jisne meri aur neta ki tasweer banayi thi.

DIG- (chauk kar) kya Iska bhaai. Kaun hai wo. Jo hamein janta hai. Usko dundho aur jaan se maar do. Nahi to wo ham logon ke liye khatra ban sakta hai.

Rawat- mujhe nahi pata ki wo kaun hai. Sarita bhi kuchh nahi bata rahi hai. Lekin aap fikar mat kariye. Use ham kisi bhi haal mein dhoondh lenge aur kutte ki maut marenge.

DIG- Good, to nishchal tum jan-na chahte the na ki Neta Sarkaar hai to main Sarkar kaise huwa to mere pyaare Nishchal baat ye hai ki Main itna bewkoof nahi hoon jo sabke samne aata rahoon. Meri jagah par ye neta baat karta tha. Chalo ab bahut huwa sawal jawab, ab marne ke liye taiyar ho jao.

Itna bolkar DJG ne Trigar daba diya, Sarita ne dar ke mare apni aankhe band kar li, lekin DIG ko sabse bada jhatka tab laga jab Trigar wo dabta gaya lekin goli nahi chali. Nishchal ne apni pant ke pichhe khonsi hui gun nikali aur DIG ki kanpati par laga di aur hanste huwe bola.

Nishchal- Kyon DIG Sir kya huwa. Goli nahi chali. Wo goli yahan par hai.

Itna kahkar Nishchal ne apni mutthi kholi aur DIG ke aage kar di. DIG ne dekha ki Nishchal ke hath mein goliya thi. Ye dekhkar DIG apni gun nikalne ki koshish ki to Nishchal dahadte huwe bola.

Nishchal- Koshish bhi mat karna DIG. Nahi to tera bheja uda dunga.

DIG- Itna bada dhokha mere sath. Main tujhe chhodunga nahi.

Nishchal- Chup kar gatar ki paidaish. Tumhe to apna boss bolte huwe bhi mujhe sharam aa rahi hai. Tujh jaise insan ko jeene ka koi hak nahi hai, man to kar raha hain ki main tum sabhi ko abhi ke abhi goli maar doon aur ye kissa yahi khatam kar doon, lekin main mazboor hoon.

Sarita Aakar Nishchal ke pichhe khadi ho gayi. Sarita ne dhimi aawaz mein Nishchal se poochha.

Sarita- Aapko kaise pata chala ki DIG bhi Rawat se mila huwa hai.

Nishchal- Tumne wo kahawat to suni hogi na ki jo Apne aapko bahut shatir aur hoshiyar samajhta hai wo bhi kabhi na kabhi koi na koi galti jaroor karta hai aur wo uski aakhiri galti hoti hai. ye DIG bhi apne aapko bahut shatir aur chalak samajhta hai, lekin isne ek galti kar di.

Tumhara kidnap huwa hai ye baat Mujhe, Mohit, Jawed, Janhavi, Ranjana, Kaushal aur Vikas ko hi pata hai. iske alava Abhi tak ye baat maine kisi ko nahi batayi hai.

Jin logo ko Tumhari kidnaping ke bare mein pata hai wo bahut bharoshemand log hai. wo kisi ke samne is baat ko jahir nahi karne wale to hawaldaro ko pata hona door ki baat hai to inhe kis hawaldar ne bata diya.

Doosri baat jab inhone kaha ki unhe yahan aakar pata chala ki unke hi department ke officer ne tumhe kidnap kiya hai. tab mera shak bilkul pukhta ho gaya. Kyonki Rawat ne tumhe kidnap kiya hai ye baat main, Jawed aur Mohit ke alawa kisi ko pata nahi hai.

lekin jab inhone ye baat kahi to ye mere sandeh ke ghere mein aa gaye aur Mujhe yaha par aaye lagbhag aadhe ghante bit chuke hain agar ye mere pichhe piche yaha par aaye hai to abhi tak kaha the.

Isi bat ko lekar mujhe shak huwa inpar isliye jab ye baat kar rahe the tabhi maine apni gun khali kar di thi. mujhe pura bharosha tha ki ye mujhse gun jaroor mangenge. Kyonki is wakt mere hath mein hi gun thi aur ye mujhe nihattha jaroor karte.

DIG- Tumne ye bilkul bhi Achha nahi kiya. Itna bada dhokha kiya tumne mere sath. Tum bachoge nahi.

Nishchal- Dhokhebaz ke sath dhokhebazi hi ki jati hai. Tum kya samajhte the ki duniya mein tumhi ek chalak ho baki sab bewkoof bhare pade hain. lekin tum ye bhool gaye ki tumhare samne Nishchal Singh Rathod khada tha. jisko bevkoof banana itna aasan nahi hai. tumhara khel khatam ho chuka hai.

Rawat ko Amit ne pakad rakha tha. DIG aur Nishchal ki vartalap ka laabh uthakar Rawat ne Amit ko dhakka de diya Jiske karan uska balance bigad gaya aur wo niche gir pada. Uske niche girte hi Rawat ne jameen par padi apni banduk utha li aur Nishchal ke upar fire kar diya.

Goli Nishchal ke hath mein lagi. Jiske karan uski gun uske hath se chhut gayi. ye dekhkar Jawed ne apni gun se Rawat par fire karne ka socha, usase pahle hi Rawat ne Jawed ke hath mein goli maar di.

Jiske karan Jawed ki gun bhi niche gir padi. Mohit ne furti se apni gun se Rawat ke upar fire kar diya. Goli Rawat ki kalayi mein lagi aur wo cheekh marker gir pada.

Idhar mauke ka fayda uthakar DIG ne Apni gun nikal li aur Nishchal ke goli lagne se disbalance hone ke karan Sarita ki kalayi pakada aur use apni taraf kheech kar uski kanpati par gun rakhte huwe kaha.

DIG- Bas Bahut ho gaya ye chuhe billi ka khel. Ab Is khel ko samapt karne ka samay aa gaya hai. Is poore fasad ki jad ye ladki hai. Isi ke karan aaj hame sabke samne aana pada. Sabse pahle iska hi khel samapt kar deta hoon. Sari jhanjhat hi khatam ho jayegi.

Nishchal- DIG. Bhool kar bhi aisi galti mat karna. Nahi to Tere sare khandan ka namo Nishan mita dunga.

DIG- Jab bachoge tab to Mere khandan tak pahuchoge na. Is ladki ke baad tum logo ka hi number hai.

Itna kahkar DIG ne Sarita ko marne ke liye drigar dabata usase pahle hi Ek goli aakar uske baju mein lagi. Goli lagne ke karan uske hath se gun chitak gayi aur Wah ladkhadakar jameen par gir pada. Jab Sabne Aawaz ki disha mein dekha to Waha par Abhishek khada huwa tha.

Abhi koi aur kuchh action leta Tab Tak Vikas aur Kaushal poori police force lekar andar aa gaye. Un dono ke sath SSP Sir Bhi the. Ye sab dekhkar Neta waha se bhagne laga to Mohit ne uske pair par goli maar di. Neta Hiii ammi hiii ammi chillate huwe wahi gir pada.

Police force ko dekhkar Rawat aur DIG ke aadmiyon ne dar ke mare idhar udhar goli chalani shuru kar di. Nishchal ne jhat se Sarita ko cover kiya aur use ek kinare par le gaya. Police force ne apni apni posision le li thi.

Udhar se goliya chalne ke baad Nishchal ne Kaushal ko ishara kiya to sabne firing karni shuru kar di. Is firing mein DIG aur Rawat ke kayi aadmi mare gaye aur kai ghayal bhi ho gaye. Police walo ko bhi goli lagi.

SSP, Mohit aur Nishchal ne Neta, DIG aur Rawat ko is kabil nahi chhoda tha ki wo tino waha se bhag paye. Tino ke dono pairo mein goliya mari gayi thi. Rawat ke hath mein do goli aur DIG ke hath mein ek goli lagi thi.

Thodi hi der ki firing ke baad waha par sabkuchh shant ho gaya tha. Udhar ke jo aadmi jinda bache the wo jameen par pade karah rahe the. Neta, Rawat aur DIG ek hi jagah pade karah rahe the. Nishchal chalta huwa un tino ke paas gaya aur bola.

Nishchal- maine kaha tha na ki bure kaam ka natiza bahut bura hota hai. Tum logo ne Sarita ko kidnap karke jeewan ki sabse badi galti ki thi, Jiski saza tumhe milni hi thi, lekin ye saza kuchh bhi nahi hai. baki ki saza tum logo ko kanoon dega.

(Vikas ki taraf dekhkar) Vikas jaldi se phone karke ambulance bulao aur Sabko Hospital pahuchao. Jawed ko bhi goli lagi hai use bhi Hospital le jao. In tino ko Special ward mein Bharti karna aur in par kadi najar rakhna. Ye shatir kuchh bhi kar sakte hain.

Nishchal ki baat sunkar vikas ne Ambulance ko phone kiya aur 5-6 Ambulance ek sath manga liya. SSP Sir bhi DIG, Rawat aur neta ke paas pahunch gaye aur teenon ko gusse ze ghurne lage. Fir ek jordar thappad Unhone DIG ke gaal par laga diya aur gusse se bole.

SSP Sir- To in Sare fasad ki Jad tu hai kamine. Tabhi to main sochu ki Sarita jab bhi Gundon ke khilaaf koi Achha kaam karti to tu kyon bhadak jata tha aur phone karke mujhe char baat sunata tha aur us baat ka gussa main Nishchal par nikalta tha.

Lekin ab sab samajh me aa raha hai. Tu to sher ki khaal mein bhediya nikla. Tujhe to main kadi se kadi saza dilwaunga. Chhodunga nahi main tujhe. Mohit le jao is namakharam aur dhokhebaz ko aur achhe se khatirdari karna inki.

Fir SSP ne Aakar Sarita aur Nishchal ko Sabasi di. Sabhi ko hospital le jane ki taiyari hone lagi. Kanoon ke hath jitne lambe hote hain. Media ki naak usase bhi jyada lambi hoti hai. pata nahi kaha se Media ko is baat ki bhanak lag gayi.

Aise masaledar khabar ko cover karne ke liye Sari media waha par ikathhi ho gayi thi. SSP sir ke nidesh se kisi bhi media wale ko andar nahi jane diya ja raha tha.

Poore Shahar mein ye khabar jangal mein lagi aag ki tarah fail gayi thi ki Inspector Sarita Joshi ka kidnap Huwa tha. wo pichhle 3 din se lapata thi, Par DSP Nishchal Rathod aur unki team ne unhe dhoondh nikala hai.

Sab bas ab Sarita ke nikalne ka intezar kar rahe the aur apne sawalo ke sath khade the. Taki usase is bare mein poochha ja sake.

Itna sabkuchh hone ke baad aur maut ke munh se bachkar nikalne ke baad Sarita ekdam bhavuk ho chuki thi. jab nishchal ne uska hath pakadkar chalne ke liye kaha to wo jor se Nishchal ke gale lag gayi rone lagi.

Nishchal ne Yaha aane ke baad pahli baar Sarita ko dhyan se dekh raha tha. Uska Phool sa damkata huwa chehra bilkul murjha gaya tha. uske galo par aanshu bahkar sukh gaye the. Uski kurti ki sleaves fati hui thi, gale, kandhe aur hath mein chot ke Nishan the.

Thappad ke karan Sarita ke dono gal kale pad chuke the. Honth ke dono kinare fate huwe the. Uske baal bikhre huwe the. Nishchal ne Sarita ke sir ko sahlate huwe kaha.

Nishchal- Ab darne ki koi jaroorat nahi hai. Ab main tumhare paas aa gaya hoon na.

Sarita Rote Rote Hichki lene lagi. Nishchal use gale lagaye huwe khada tha. Thodi der baad jab Sarita ki aawaz aani band ho gayi to Usne Sarita ko apne se alag kiya to Sarita uski baho mein jhool gayi. Wo kamjori ke karan behosh ho gayi thi.

Nishchal ne SSP se kuchh baat karke Sarita ko apni god mein utha kar Bahar ki taraf aane laga. Mohit bhi uske sath tha. Nishchal ko Sarita ko lekar aata huwa dekhkar Media wale Uske paas aane ki koshish karne lage lekin mohit Vikas aur Kaushal kisi bhi media wale ko uske paas nahi aane de rahe the.

Jawed bhi Nishchal ke pichhe pichhe chal raha tha. Nishchal ne Sarita ko apni gadi mein dala. Jawed bhi Uske sath gadi mein baith gaya. Dono ko lekar wah hospital chala gaya.

Tab tak Ambulance bhi waha par aa gayi thi. Mohit, Vikas aur Kaushal ne milkar Sabhi ghaylo ko hospital mein admit karwaya. Nishchal ke nideshanusar Neta, DIG aur Rawat ko kadi suraksha ke bich hospital mein rakha gaya.

Udhar Nishchal hospital pahucha aur Sarita ko apni god mein uthakar andar le gaya. Jawed bhi gadi se utarkar andar gaya. Doctor ne uski Malham patti ki aur drip laga diya. Doctor ne Sarita ko drip chadhai aur bataya ki dar aur kamjori ki wajah se wah behosh ho gayi hai. shayad mentally bhi inpar asar pada hai. jaisa bhi hoga wo hosh mein aane ke baad hi pata chalega.

Nishchal ne Phone karke Ranjana aur Janhavi ko hospital bula liya tha. Doctor ne kuchh dawaiya likhi aur Nishchal ko pakda di. Nishchal ne dawaiyo ki parchi Janhavi ko di. Janhavi dawa lane chali gayi aur Nishchal khud Sairta ke pass baith gaya. Ranjana bhi Wahi par baith gayi. Usne Nishchal se poocha.

Ranjana- Kya huwa madam ko sir. Doctor ne kya kaha.

Nishchal- Kamjori ki wajah se ye behosh ho gayi hai. hosh mein aane ke baad hi doctor aur kuchh bata payenge.

Ranjana- Main bahar baithti hoon Sir.

Ye bolkar Ranjana bahar chali gayi. Nishchal Sarita ke chehre ko bahut gaur se dekh raha tha. Sarita ke honth par lagi chot ko wo sahla raha tha. Usne Nurse se dawa lekar Sarita ke chot par laga di. Thodi der baad Sarita ko hosh aa gaya.

Hosh mein aane ke baad Jab Sarita ne apni aankhe kholi to apni aankho ke samne Nishchal ko dekha to wo rone lagi. Nishchal ne turant uska hath pakad liya aur kaha.

Nishchal- Kya huwa?? Tum ro kyon rahi ho. ab sab kuchh bilkul thik hai. tumhe bilkul bhi pareshan hone ki jaroorat nahi hai.

Nishchal ki baat sunkar bhi Sarita roye ja rahi thi. Nishchal ko Sarita ka is tarah rona dekha nahi ja raha tha. usne Sarita ke Sir par hath pherte huwe kaha.

Nishchal- Main hoon na yaha par. Fir kyon ro rahi ho. Agar tum mujhe un logo ke jaisa samajh rahi ho to main...

Nishchal ki baat poori hone se pahle hi Sarita ne dhire se kaha.

Sarita- Mujhe bhookh lagi hai.

Sarita ki baat sunkar Nishchal Muskura utha aur bola.

Nishchal- Achha. Isliye tum ro rahi thi. main tumhare liye abhi kuchh khane ko lekar aata hoon.

Itna kahkar Nishchal kamre se bahar aa gaya aur Ranjana ko andar bhejkar Hospital se bahar chala gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 95[/color]

[color=rgb(51,]Hospital se bahar jakar Nishchal ne ek hotal se khana lekar aaya. Nishchal ne Ranjana aur Janhavi ko wapas PS bhej diya. Nishchal apne hatho se Sarita ko khana khilane laga. Khana khate huwe Sarita ki aankho se aanshu bah rahe the.

Nishchal ne pyaar se uske aanshu poche aur khana khilaya. Uske baad usne Sarita ko dawa di aur use sone ke liye bol diya. kuchh der mein Sarita so gayi.

Nishchal uske paas baitha raha. Uski aankho mein is samay aanshu nikalne laga. Nishchal man hi man sochne laga.

Nishchal- Tumhe nahi pata Sarita ki tumhe is halat mein dekhkar mujhe kitni takleef ho rahi hai. agar tumhe kuchh ho jata to main to jeete ji mar jata. Main tumhe bahut pyaar karta hoon. Tumhe khote huwe mujhe bahut dar lagta hai.

Jab jab un logo ne tum par gun tani to meri jaaan hi nikal gayi thi. us samay maine apne aapko kaise sambhala ye main hi janta hoon, lekin ab bahut ho gaya. Ab main tumhe kisi bhi musibat mein nahi padne dunga.

Yahi sab sochte huwe Nishchal utha aur bahar chala gaya. Bahar aakar usne Manisha ko phone kiya. Manisha ne phone uthate hi poochaa.

Manisha- Hello Boss. Didiya ka kuchh pata chala.

Nishchal- Sarita mil gayi hai aur wo mere sath hi hai.

Manisha- (Khushi se uchhalte huwe) Kya Sach mein boos. Kaisi hai didiya. Use kuchh huwa to nahi hai na. wo thik to hai na.

Nishchal- Haan haan Chhote miya. Wo bilkul thik hai. use kuchh nahi huwa hai.

Manisha- Meri baat karwaiye na didiya se. mujhe usase baat karni hai.

Nishchal- Abhi wo hospital mein hoon. wo so rahi hai. Uthne ke baad tumhari baat karwata hoon.

Manisha- Hospital mein. Aap to kah rahe hain ki didiya thik hai. fir hospital mein didiya kyon hain.

Nishchal- Are Are meri gadadhari bheem. Shant ho jao sab batata hoon. Darasal Sarita ne tin din se khana nahi khaya tha to bahut kamjori aa gayi thi use. Isliye wo behosh ho gayi. Isliye use Admit karna pada. Maine use khana khila diya hai aur dawa bhi de di hai.

doctor ne kaha hai ki wo bilkul thik hai. tum bilkul bhi pareshan mat ho aur Aunty aur Uncle ka dhyan rakho. Sarita Aaj Hospital mein rahegi. Kal main use khud lekar Ghar aaunga. Aunty ko kahna ki wo bilkul bhi fikar na karein Sarita ki main uske sath hi rahunga.

Manisha- Thik hai boss. Aapko pata nahi hai ki aapne hamare upar kitna bada Ehsan kiya hai Agar didiya ko kuchh ho jata to ham logo ka kya hota.

Nishchal- Ye tum kaisi baat kar rahi ho chhote miya. Tumhe to sab pata hai fir bhi tum aisi baat kar rahi ho. wo tumhari bahan ke sath sath meri jaan bhi hai aur apni jaan ko bachana koi Ehsan nahi hota aur mere jeete ji Sarita ko kuchh bhi nahi hoga. Main har samay uski dhal banker uske sath rahunga.

Manisha- (Khushi ke aanshu ke sath) Meri didiya bahut lucky hai jo use aap jaisa pyaar karne wala mila.

Nishchal- Lekin main to lucky nahi hoon na.

Manisha- Aap aisa kyon bol rahe hain boss.

Nishchal- Main to Sarita se pyaar karta hoon, lekin Sarita to mujhse pyaar nahi karti na. wo to mujhe khadus, akdu boss hi manti hai.

Manisha- Aisa nahi hai boss, didiya ke man mein bhi aapke liye kuchh hai, bas wo use samajh nahi paa rahi hai.

Nishchal- hai na. uske man mein mere liye gussa aur hamesha ladai jhagda karne ki tatparta.

Manisha- Are nahi boss. Uske man mein bhi aapke liye pyaar hai aisa mujhe lagta hai. Didiya bilkul thik ho jaye to main kuchh aisa karungi ki didiya khud aapse apne pyaar ka izhaar karegi, lekin aapko meri har baat man-ni hogi. Tabhi main kuchh kar paungi.

Nishchal- Are chhote miya. Sarita ke liye to agar tum mujhe Murga ban-ne ke liye bhi bol dogi to sari zindagi main murga ban-ne ke liye taiyar rahuga.

Manisha- Murga to main nahi meri didiya banayegi. Main to thodi bahut practis karwa sakti hoon aapki.

Nishchal Manisha ki baat sunkar hansne laga. Fir Usne ne kaha.

Nishchal- Achha ab main phone rakh raha hoon. Uncle aur Aunty ka khyal rakhna. Main Sarita ko lekar kal ghar aa jaunga. Bye.

Manisha- Bye Boss.

Nishchal ne phone rakh diya aur jo kuchh bhi huwa uske bare mein sochne laga. Abhi Manisha se baat kiye huwe use minute hi huwa tha ki tabhi Nishchal ka phone bajane laga. Nishchal ne phone dekha to Savita ka phone tha. Nishchal ne phone uthaya to Savita ne kaha.

Nishchal- Hello di.

Savi- Ye sab News mein kya dikha raha hai. Sarita ka kidnap ho gaya tha.

Asal mein Savita ko kisi ne kuchh nahi bataya tha, Kyonki Shadi ke tisre din hi Sarita kidnap ho gayi thi. Koi ye nahi chahta tha ki Savita ko is baat ka pata chale aur uski shadi ke baad ki Jindgi shuru hone se pahle hi us par gam ke badal mandrane lage. Wo to News walo ke karan Savita ko is baat ka pata chala aur usne turant Nishcahl ko phone kiya.

Savita ki baat sunkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Haan di ye News mein jo dikha raha hai wo sahi hai.

Savi- (gusse se) Aur tumne ya kisi aur ne mujhe ye baat batana jaroori nahi samjha. Kya Shadi ho jane ke baad tum, Raghav, Mummy, papa, Manisha, Uncle aur Aunty mujhe abhi se paraya samajhne lage ho.

Nishchal- Ye kaisi bahki bahki batein kar rahi hain aap di. aapko pata hai ki aap kya bol rahi hain.

Savi- haan mujhe pata hai ki main kya bol rahi hoon. Agar aisa nahi hota to tum sab mujhe jaroor batate.

Nishchal- Aap bilkul galat soch rahi hain. Ham logo ko pata tha ki agar aapko ye baat pata chali to aap jaroor yaha chali aaogi. Koi nahi chalta tha ki aapki khushhal zindagi ki shuruaat gam se ho, isliye aapko kisi ne nahi bataya.

Savi- To iska matlab ye huwa ki mujhe kabhi koi baat nahi bataoge tum sab. Anant ji bhi bahut Naraz hain is baat ko lekar. Sarita meri bhi kuchh lagti hai. uske bare mein mujhe bhi jankari honi chahiye.

Nishchal- Sorry di. agar is baat ko lekar aaka dil dukkha hai to mujhe maaf kar dena, lekin sabne aapko kisliye nahi bataya. Ye maine aapko bata diya hai, mera to pata hi hai aapko sab kuchh. Mujhe us samay Sarita ko dhoondhne ke alava kuchh bhi najar nahi aa raha tha. Lekin ab sabkuchh thik hai. Sarita mil gayi hai aur wo mere paas hai.

Savi- Abhi kaisi hai wo. Wo thik to hai na. use kuchh huwa to nahi hai na. kahan ho abhi tum dono.

Nishchal- Di main hospital mein hoon. 3 din se usne kuchh nahi khaya tha to wo behosh ho gayi thi kamjori ke karan, lekin abhi wo thik hai. kal subah use main lekar Allahabaad jaunga.

Savi- Main bhi aa rahi hoon Anant ke sath Sarita se milne ke liye.

Nishchal- Nahi di. aap mat aaiye. Abhi Wo bilkul thik hai. Aap chahe ho phone par baat kar lijiyega. Kuchh din baad to aapko aana hi hai. Tab Aap Usase mil lijiyega.

Savi- Thik hai Nishu. Tu jaisa kahe. Lekin usase meri baat jaroor karwa dena.

Nishchal- Thik hai di. Ab main rakhta hoon. Baad mein baat karunga.

Savita se baat karne ke baad Nishchal ne phone rakh diya. Phone rakhkar wo Jawed ke paas chala gaya aur uske paas baith gaya.

Jawed- Ab Madam ki tabiyat kaisi hai Sir.

Nishchal- Ab wo thik hai. Tum kaise ho abhi.

Jawed- Main thik hoon Sir. Goli bas chhukar gahra Zakhm karke nikal gayi.

Nishchal- Tum aaram karo. Main doctor se baat karke aata hoon.

Nishchal Jawed ke kamre se bahar nikal gaya. Wo Doctor ke paas jane laga. Udhar Manisha ne Raani ji aur Aanand ji ko bata diya tha ki Sarita mil gayi hai aur wo Nishchal ke sath hain. Dono ko bahut Khushi hui. Raani ji Sarita se baat karna chahti thi, Manisha unhe samjha rahi thi, lekin Maa to aakhir maa hoti hai.

Raani ji ne Manisha ki baat nahi mani aur Manisha ko phone lagana pada. Udhar Nishchal doctor ke cabin mein ja raha tha. Phone Ring hone par usne phone uthaya.

Nishchal- Hello Manisha.

Raani jii- hello Nishchal bata. Sarita kaisi hai. Mujhe baat karni hai usase.

Nishchal- namaste Aunty ji. Wo thikk hai . use dawa di gayi hai to wo so rahi hai. uthne ke baad main aapki baat karwata hoon. Aap bilkul bhi fikar mat kariye. Sarita mere sath hi hai. hospital se discharge hone ke baad main use lekar Allahabaad Aaunga.

Raani ji- Nahi beta. Mera dil nahi lagega yahan. Main aa rahi hoon.

Nishchal- Aunty ji. Aap pareshan mat hoiye. Main hoon Sarita ke sath. Use koi bhi pareshani nahi hogi, main use khud lekar aaunga.

Manisha aur Aanand ji bhi Raani ji ko samjhane lage. Kafi samjhane ke baad Rani ji mani. Unhone nishchal se kaha.

Raani ji- Thik hai beta. Uska khayal rakhna. Uske sath hi rahna aur use jaldi lekar yaha aana. Bina use dekhe mujhe chain nahi aayega.

Nishchal- Thik hai Aunty ji main use jaldi hi lekar aata hoon.

Itna kahkar Nishchal ne phone rakh diya aur Doctor se milne chala gaya. Doctor se baat karne ke baad wo Wapas Sarita ke paas aa gaya. Lagbhag 1 ghante baad Sarita ki neend khuli to usne Nishchal ko apne paas baithe huwe paya.

Wo Nishchal ko dekhkar Muskurane lagi. Nishchal bhi muskurane laga. Fir Nishchal ne Manisha ko phone karke Sarita ki baat uske gharwalo se karwayi. Apne gharwalo se baat karke Sarita bahut khush hui.

Uske baad Nishchal ne Savita ke paas bhi phone kiya aur Sarita ki baat karwayi. Nishchal ne ghar mein bhi phone karke bata diya. Waise News se Naina ji aur Mahendra ji ko bhi pata chal gaya tha ki Nishchal ne Sarita ko bacha liya hai. Abhishek ne bhi phone karke Sarita ka haal chaal liya.

Sham tak Mohit ne aakar Nishchal ko poori report di. fir Sarita aur Jawed se milkar chala gaya. Raat bhar Nishchal hospital mein hi raha. Agle din dophar tak Usne Sarita aur Jawed ko hospital se discharge karwaya. Mohit Aakar Jawed ko apne sath le gaya.

Nishchal Sarita ko gadi par baithakar sabse pahle abhishek pe paas le gaya. Abhishek se milkar Sarita uske gale lag gayi. Thodi der tak donon bhaai bahan sath mein rahe aur batein karte rahe. Uske baad niahchal Sarita ko lekar Allahabaad jane ke liye nikal gaya.

Sarita poore raste Nishchal ko hi dekh rahi thi. Usase mulakat se lekar Abhi tak ka jo bhi wakya huwa tha uske baare mein soch rahi thi. kabhi use apne aap par gussa aata to kabhi chehre par muskan aa jati. Nishchal bhi gadi chalate huwe bich bich mein Sarita ko dekh leta tha. dono ki najarein jab milti to dono muskura dete.

2 ghante ke safar ke baad Sarita apne ghar aa gayi. Sarita daudkar apne mummy papa aur Manisha ke gale lagkar rone lagi. Raani ji ne use kaskar gale lag aliya aur uska matha chum liya. Paas pados ke kuchh log Sarita ke aane ki khabar sunkar usase milne ke liye aaye the. Nishchal Sarita ko chhodkar jane laga to Raani ji ne kaha.

Raani ji- Are beta. Itni jaldi bhi kya hai. Kal subah chale jana.

Nishchal- Nahi Aunty ji. Mere paas rukne ka bilkul bhi samay nahi hai. Is case ka aage kya karna hai uske liye mujhe jana hi hoga. Aap Sarita ka khyan rakhiyega. Main phone par baat karta rahunga.

Nishchal Sabhi se vida lekar Allahabad se Jaunpur wapas aa gaya, Kyonki use is case ke bare mein puchhtachh karni thi.

Udhar media mein Sarita ki Kidnaping ki news ne khoob surkhiya batori. Rajnitik galiyaro mein is khabar par chatkare le lekar baat chit hoti thi. Sabhi partiyan is mudde ko lekar Sarkar aur police par ungli utha rahi thi. News ko dekhkar log Sarita ke bare mein tarah tarah ki bate bana rahe the.

News mein dikhaya ja raha tha ki do din gayab rahne ke bad ...... Thane ki lady inspector ....... Jagah behoshi ki halat mein mili . Unke thana prabhari Rawat, Police vibnag ke DIG aur kshetriya neta ka unki kidnaping mein bahut bada hath tha.

kidnaping ki thos wajah abhi tak pata nahi chal payi hai. police abhi kuchh bhi batane ke liye taiyar nahi hai.

Sarita ko ghar aaye ab tak 3 din bit chuke the, uski halat ab pahle se kaafi sudhar chuki thi. par kuchh jakham abhi bhi sharir par maujood the. Sarita apne kamre mein leti Nishchal ke bare mein hi soch rahi thi-

Sarita- (man mein) Kaise ye har Setuation mein aakar meri madad karte hain. kaise main inse hamesha ladti rahti hoon. Thik se baat bhi nahi karti hoon fir bhi ye meri har tarah se madad karne ke liye hamesha taiyar rahte hain.

Sochte Sochte Sarita ko Rawat ki kahi hui har ek baat yaad aane lagi jo Rawat ne batayi thi ki Nishchal ne har baar use bachaya hai. Har musibat ke wakt uska sath diya hai. yahi sab sochkar wo muskura uthi.

Sarita ka man Nishchal ko yaad kar ke pulkit ho gaya tha, lekin tabhi use charu ka khyal aaya to uske chehre par udasi chha gayi. Sarita ko lagta tha ki Nishchal aur Charu dono ek-doosre se pyaar karte hain. Ye sochkar uski aankho mein aanshu aa gaye.

Abhi wah ye soch hi rahi thi ki TAbhi Rani ji kamre mein aayi aur Sarita ko aur gumsum aur rote dekh kar boli.

Raani ji- Kya huwa beti. Tum thik to ho na. tumhari aankh mein aanshu kisliye.

Sarita ne apni maa ki aawaz sunkar jaldi se apne aanshu saaf kiye aur uthkar bister par baith gayi. Sarita ne dekha ki uski maa ke sath uske paapa bhi hain. dono Sarita ke paas bister par baith gaye. Sarita ne kaha.

Sarita- Kuchh nahi mummy. Wo bas wahi batein baar baar dimag mein ghoom rahi hain isliye aankho se anshu aa gaye.

Raani ji- Jo hona tha ho gaya beti. Ab wo batein sochkar kyon apna dil dukha rahi ho. bhool ja us baat ko

Sarita- Ji mummy.

Raani ji- Beta mujhe tumse kuchh baat karni thi.

Sarita- Haan maa boliye.

Raani- Main chahti hoon ki tum ye naukari chhod do.

Raani ji ki baat sunkar Sarita ne hairani se unki taraf dekha to unhone kaha.

Raani ji- Main shuru se hi is naukari ke khilaf thi. main nahi chahti thi ki tum police ki naukari karo. Lekin tumne meri baat nahi mani. Main chahti hoon ki tum is naukari se resign de do aur mujhe kuchh nahi chahiye.

Sarita Raani ji ko hairani se dekh rahi thi. use kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki uski maa kya baat kar rahi hain. Abhi wo kuchh bolti usase pahle hi Aanand ji bol pade.

Aananad ji- Ye kaisi baat kar rahi ho tum bhagyawaan. Sarita apni Naukri kyon chhodegi??

Raani ji- Mujhe is baare mein kuchh nahi sun-na. maine kah diya ki Sarita ye naukari nahi karegi to nahi karegi. Ab is bare main main aapki baat bhi nahi sunungi.

Aanand ji- Are aise kaise nahi sunogi. Aakhir aaj tumhe Sarita ki naukari se aitraaz kyon ho raha hai. Aur Sarita kyon apni Naukri chhod de. Koi to karan batao mujhe.

Raani ji- Sarita ke sath jo kuchh bhi huwa. Us baat ko lekar Samaj mein log tarah tarah ki baatein bana rahe hain. Aapko pata bhi hai. Sarita ke shadi byaah mein bhi isase dikkat aayegi, ladke wale bhi tarah tarah ke sawal poochhenge.

Kaun apnayega meri beti ko. Logo ko to waise bhi mauka chahiye chhoti si baat ko badha Chadha kar batane ki. Aapne suna nahi ki Inspector ki patni kitna bura bura bol rahi thi.

Aanand ji- Tum ye sab bate lekar kyon baith gayi ho. Hame is samay apni bachhi ki parwah karni chahiye. Is samay hame apne bachhi ke sath khada hona chahiye aur tum ho ki samaj aur logo ki baato par dhyan de rahi ho.

Raani ji- Mujhe apni bachhi ki parwaah hai isliye hi to bol rahi hoon ki ye apni Naukri se resign de de. Aapko nahi pata ki log Sarita ke bare mein kaisi kaisi baate kar rahe hain.

koi kah raha hai ki chehre par dekho kitne Nishan bane hain. lag raha hain ki un gundo ne iske sath jabardasti ki hai. to koi kah raha hai ki 2 din waha gundo ke bich mein rahi hai to aise kaise ho sakta hai ki un gundo ne bina kuchh kiya ise chhoda hoga.

Kuchh to yah bhi kah rahe hain ki Ye bhi Unme se ek hain tabhi iske sath aisa kuchh huwa hai nahi to aaj tak aisi koi khabar nahi aayi thi. bahut bura bura bolte hain log meri bachhi ke liye.

Ab isase jyada main kuchh aur bhi apni bachhi ke bare mein nahi sun sakti hoon aur logo ko iske bare mein aise bolne nahi de sakti hoon.

Sarita aur Aanand Raani ji ki baat sun rahe the. Abhi wo kuchh bolte tabhi waha par Manisha aa gayi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
Back
Top