Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

[color=rgb(0,]UPDATE- 96[/color]

[color=rgb(51,]Sarita aur Aanand ji Raani ji ki baat sun rahe the. Abhi wo kuchh bolte tabhi waha par Manisha aa gayi. darasal wo chaai ka tray lekar aayi thi. usne bhi apni mummy ki bate suni to usne kaha.

Manisha- Mummy. Logo ka to kaam hi hai kisi baat ko badha chada kar kahna. Kisi chhoti si baat ka batangad banana. Aap shayad bhool rahi hai mummy ki ye wahi log hain jo Didiya ke selection ho jane par phule nahi sama rahe the aur ghar aakar aap se bol rahe the ki beti ho to Sarita ki tarah ho.

apni betiyo ko didiya jaisi banane ke liye bol rahe the aur aaj wahi log is tarah ki batein kar rahe hain. ya samaj hai mummy. Yaha par sukh aur khusi mein sab aapke sath khade rahte hain aur jab kabhi dukh aur pareshani aati hai to yahi log aapse kinara kar lete hain. Sukh ke samay sabhi aapke sath rahenge lekin dukh ka samna aapko akele apne pariwar ke sath hi karna padega.

Raani ji- Mujhe apni bato se bargalane ki koshish mat karo Manisha. Mujhe is samay sahi galat kuchh bhi samajh nahi aa raha hai. ham log samaj mein rahte hain to hame samaj ke banaye niyamoin ke hisab se hi rahna hoga.

Manisha- (tapak se) Fir chahe wo niyam galat hi kyon na ho. hai na mummy. Ek baat bataiye mujhe mummy. Agar meri didiya ki jagah kisi mail officer ko is tarah se kidnap kiya gaya hota to kya tab bhi aapka samaz aise hi bolta??

Aise hi uspar kichad uchhalta?? Aise hi usko badnam karta?? Nahi maa tab aisa nahi hota. tab Aapka yahi samaj us Mail officer ke sath sahanubhuti dikhata. Fir Kyon Samaj ke banaye is dogle niyam ki wajah se meri didiya apni Naukri chhode?? Boliye.

Manisha ki baat sunkar Raani ji gussa ho gayi aur bolii.

Raani- Manisha. Abhi tum bachhi ho. tumhe in sabki samajh abhi nahi hai isliye tum apna munh band rakho. Mujhhe pata hai ki meri bachhi ke sath kuchh bhi galat nahi huwa hai lekin main kis kis ko jawab deti firu.

Manisha- To mat do jawab kisi ko mummy. Kaun kah raha hai aapko jawab dene ke liye ase samaj ke thekedaro ko. Lekin nahi aapko to apni beti ki Khushi se jyada padosiyo ki khusi pyaari hai.

Raani ji- (gusse mein) chup kar tu. bahut baat karne lagi hai tu. Mera mood abhi bahut kharab hai tu ja yaha se.

Raani ji ki baat sunkar Manisha kamre se bahar chali gayi. Uske jane ke baad Aanand ji ne kaha.

Aanand ji- Are bhaagyawaan. Manisha ki baato ke bare mein ek baar socho. Usne kuchh bhi to galat nahi kaha. Jo kuchh bhi huwa hai usme na hi hamari galti hai aur na hi Sarita ki koi galti hai. wo to bas imandari se apni duty kar rahi hai. agar is samay ham hi uski sthiti ko nahi samjhenge to fir doosra koi kaise samjhega??

Tabhi Manisha fir se kamre mein aati hai. uske hath mein paper ki kuchh cutting the. Jisme Sarita ke kuchh Inspiring Interviews the. Manisha ne wo cutting Raani ji ke hatho mein pakdate huwe kaha.

Manisha- In paper ko dekhiye mummy. Didiya bahut si ladkiyon ki Insperation hai. Jiske naksekadam par ladkiya chalna chahti hain. aapki wajase se wo sab bhi dar kar apne sapne se kadam pichhe kheech lengi.

Wo sab bhi yahi sochengi ki Agar hamare sath bhi aisa kuchh ho gaya to?? Aapko to apni beti par garv hona chahiye ki aapki beti itni bahadur hai ko log usase sikh lekar aage badhte hain.

Raani ji- Iski bahaduri ka koi medal nahi milne wala. Koi bhi ladka shadi karne ke liye iski bahaduri nahi dekhega. Balki use ek izzatdar ladki chahiye hogi.

Raani ji ki baat sunkar Manisha ko gussa aa gaya aur uske munh se kuchh aisa nikal gaya jo haal filhal ke liye usne socha nahi tha.

Manisha- Shadi Shadi Shadi. Main kab se sun rahi hoon ki didiya se shadi kaun karega didiya se shadi kaun karega. Aapko shadi ke alava aur kuchh dikhayi nahi de raha hai. aapko didiya ki Khushi dikhayi nahi de rahi hai.

to thik hai Aap didiya ki shadi ki fikar chhod dijiye. Main ek aise insan ko janti hoon jo didiya se bahut pyaar karta hai Jise aapke is samaz ki dakiyanusi soch aur dogle niyam se koi matlab nahi hai. Aap bilkul bhi chinta mat kariye mummy. Wo aapki beti ki dil se izzat karta hai aur usase shadi bhi kar lega wo.

Manisha ki baat sunkar Tino hairani se Manisha ka munh dekhne lage. Jab tak Manisha ko ehsas hota ki usne kya bol diya hai tab tak der ho chuki thi, Manisha ki baat sunkar Raani ji ne usase gusse se kaha.

Raani ji- yee.. Yee kya kaha tumne. Tumhe pata bhi hai ki tum kya bol rahi ho.

Manisha- Haan mummy mujhe pata hai ki main kya bol rahi hoon. Aur main jo bol rahi hoon wo sach hai.

Raani ji- Kya naam hai us ladke ka.

Manisha- Sorry mummy. Par main abhi us ladke ka naam nahi bata sakti.

Raani ji ne Manisha ki baat sunkar gusse se boli.

Raani ji- dekh Manisha ye Mazak ka wakt nahi hai. jo tu har samay Mazak karti rahti hai. kabhi to serious ho jaya kar. Agar ye tera Mazak hai to ye bilkul bhi achhi baat nahi hai.

Manisha- Mummy ye koi Mazak nahi hai aur na hi main Mazak ke mood me hi hoon. Aap kab se didiya ki shadi shadi karke pareshan ho rahi thi. maine to bas aapki pareshani door kar di. agar didiya ki shadi ki baat bich mein nahi aati to mere munh se ye baat kabhi bahar nahi aati.

Aapko hi didiya ki shadi ka bukhar Chadha tha kab se to main uske liye hi aapko ye bata diya hai. Ab aap didiya ki shadi ke pichhe mat padiye aur Aaram se unhe unki duty par focus karne dijiye.

Manisah ki baat sunkar Raani ji ko bahut Khushi hui. Unhone Manisha ka matha chumte huwe kaha.

Raani ji- Sach hai na ye sab.

Manisha- Solah aane sach hai.

Manisha ki baat sunkar Raani ji kamre se bahar chali gayi. Manisha bhi chaai ki tray lekar bahar chali gayi. jo ab tak ekdam Thandi ho gayi thi. Unke jane ke baad Aanand ji ne Sarita ka hath pakda aur kaha.

Aanand ji- Beta apni mummy ki baato ka bura mat man-na. unhe tumhari fikar rahti hai isliye unhone itna kuchh bol diya tumhe. Tum to janti hi ho ki wah chhoti chhoti baton par kaise pareshan ho jati hain. abhi tumhari halat dekhkar wo bahut dar gayi hain. wo nahi chahti ki tum par dobara aisi koi bhi musibat aaye isliye unhone tumhe itna kuchh suna diya.

Sarita- (dhire se) Papa. Mujhe mummy ki baat ka bilkul bhi bura nahi laga. Mujhe pata hai ki mummy bahut jaldi pareshan ho jati hain aur unka pareshan hona lajimi bhi hai. Jiski beti ke sath itni badi ghanta ghat gayi ho. uske maa-baap ke dil par kya bit-ti hai ye koi nahi jan sakta.

Par papa mujhe is samaz se shikayat hai, ye samaj kitni jaldi palti marta hai. Abhi kal tak Agal-bagal wale, paas pados wale mujhe kitna samman dete the. Kitne pyaa se baat karte the. Jab bhi main aati thi to kitna pyaar dular dete the, lekin sirf ek ghatna ke baad mere liye unka najariya hi badal gaya.

Jo mujhe bachpan se jante hain unke liye aaj main itni kharab ho gayi. Unhe mujh par tanik bhi bharosha nahi hai.

Ye log to apradhi se bhi jyada gunahgaar hain, wo sab to apradh karte hain isliye apradhi kahlate hain par ye log to apni soch ki wajah se apradhi hain. Achhe bhale aadmi ko bhi ye log tane mar mar ke maar dalte hain. Agar ye log is setuation mein mera utsah nahi badha sakte to kam se kam chup hi rahe.

Mujhe kisi ke kuchh bhi bolne se koi fark nahi padta papa, Kyonki maine kuchh galat nahi kiya hai, lekin mummy to chhoti si baat ko bhi apne dil se laga leti hain. ab main unhe kaise samjhaun ki main bilkul thik hoon aur apni duty karne ke liye poori tarah taiyar hoon, lekin mummy to meri naukari ke pichhe padi hui hain.

Aandnd Ji- Tum is bare mein sochkar bilkul bhi pareshan mat ho. tumhari maa ko tumhari bahut fikar hai isliye wo aisa bol rahi hai. main baat karunga tumhari mummy se wo jaroor samjhengi.

Tabhi Manisha khana lekar kamre mein aayi aur kaha.

Manisha- Ab bahut baat ho gayi. chaliye Nashta kar lijiye. Dobara garam karke layi hoon.

Manisha ne ye kahkar Nashta dono ke samne rakh diya aur kamre se bahar chali gayi. kamre se bahar jakar wo siddha chat par gayi aur Nishchal ko phone laga diya.

Udhar Nishchal ne Manisha ka phone dekha to phone utha liya aur bola.

Nishchal- Hello,

Manisha- Boss. Ek bahut badi gadbad ho gayi hai.

Nishchal- Kya huwa. Sarita thik to hai na.

Manisha- Haan di to thik hai, lekin Mummy di ko Naukari nahi karne dena chahti hain.

Uske baad Manisha ne Sari baat Nishchal ko bata di. Poori baat sun-ne ke baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- To ab kya karna hai. tumne ye bolkar kuchh gadbad to nahi kar diya na.

Manisha- Nahi boss. Mujhe to aisa nahi lagta, kyonki papa aur mummy ke reaction se to lagta hai ki unhe is baat se koi aitraz nahi hai ki didiya ko koi pasand karta hai. Rahi baat didiya ke man mein aapke liye ehsas ki baat to main jaisa kahti hoon aap waisa karte jaiye. Bahut jald aapko didiya mil jayegi.

Nishchal- Thik hai jaisa tum kaho Sali sahiba. Lekin mujhe karna kya hoga.

Manisha- Kya baat hai abhi se Rishta jod liya. Chalo koi nahi. Sali to main hi banungi aapki. Ab meri baat dhyan se suniye.

Uske baad Nishchal aur Manisha ne kuchh der baat ki uske baad Manisha ne phone rakh diya aur niche aa gayi.

Udhar Manisha ke bahar jane ke baad Aanand ji ne nashta apne hatho se Sarita ko khilaya to use anayas hi Nishchal ki yaad aa gayi. Nishchal ne bhi us din hospital mein use aise hi khana khilaya tha.

Thodi der baad Nashta khatam huwa to sabhi aaram karne ke liye apne bistar per let gaye. Sarita jaise hi apni aankhe band karti uski aankho ke samne Nishchal ka chehra aa jata to wo turant hi apni aankhe khol leti. Ek do baar aisa hone par wo Jhunjhulakar uthakar baith gayi.

Baithne ke baad Sarita man mein sochne lagi.

Sarita- Ye kya ho raha hai mujhe?? Baat baat mujhe Sir ka chehra hi kyo dikhayi de raha hai. Kahi main uske bare mein kuchh jyada to nahi soch rahi hoon.

Sarita kuhhh der jabardasti aise hi uljhi rahi. Nishchal ke bare mein sochti rahi fir usne aankhe band kar li aur sone ki koshish karne lagi. Lekin uski aankho ke samne Fir se Nishchal ka chehra ghoomne laga. Wo uthkar apne bister par baith gayi aur badbadane lagi.

Sarita- Dekho to. Aannkh band kane ke baad Mujhe dikh rahe hain. lekin ek baar bhi phone karke mera hall chall nahi poochha. Bas mujhe bacha kar ghar lakar pahucha diya aur ho gaya .

mujhse to koi matlab hi nahi hai Aur waise bhi mujhse matlab kyon rakhenge Sir?? Matlab to us charu se hai main lagti hi kaun hoon unki jo mere bare mein sochenge wo.

Yahi sab sochte huwe Sarita ne apna phone utha liya aur Nishchall ko call lagane ka socha, lekin fir usne irada badal diya. Sarita kai baar aise hi sochti aur irada badal deti. Aakhir kar kafi der sochne ke baad Sarita ne Nishchal ka number dial kar hi diya. lekin ek ring jane ke baad Sarita ne jhat se phone kat diya. uske hath kanpne lage.

Sarita phone apne Sir par marti hui boli.

Sarita- Ohhh my god. Why I am behaving like a sily girl?? Jab baat hi karna tha to phone kyon cut kar diya?? Pata nahi mujhe kya ho gaya hai.

Abhi Sarita yahi bol rahi thi ki Nishchal ka phone aa gaya. Nishchal ka phone dekhkar uske dil ki dhadkan tez ho gayi. wo man hi man sochne lagi.

Sarita- Hey bhagwan kya ho raha hai mujhe. Aaj se pahle to aisa pahle kabhi nahi huwa tha. fir aaj aisa kyo ho raha hai.

Sarita ne phone uthaya to doosri or se Nishchal ki aawaz aayi.

Nishchal- Hello, hello, Are you okk?? Call kyon kiya tha??

Nishchal ki baat sunkar Sarita anjan bante huwe boli.

Sarita- phone. Maine kaha phone kiya tha?? mujhe laga ki aapko koi kaam hai isliye aapne mujhe phone kiya hai.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ne apne man mein socha.

Nishchal- Ho sakta hai Chhote miya ne mujhe pareshan karne ke liye Sarita ke phone se mujhe phone kiya ho.

ye sochkar usne Sarita se kaha.

Nishchal- Tum thik to ho na.

Sarita- Hmmmm. Mujhe kya hoga??

Nishchal- Don't be smart Okkk. Time se medicine kha lena . Abhi main phone rakhta hoon. Important kaam kar raha hoon.

Isase pahle Sarita kuchh kahti. Nishchal ne phone rakh diya. Nishchal ki is harkat par Sarita ko bahut gussa aa gaya. Sarita ne phone gusse se Bed par patakte huwe kaha.

Sarita- Pata nahi apne aapko kya samajhte hain. main unse baat karna chahti thi, lekin nahi aisa lagta hai jaise maine phone karke koi bahut bad gunah kar diya hai. Akadu kahi ke. Pata nahi kitni akad hai. Ek ladki samne se phone kar rahi hai lekin baat karna to door. Akad dikha rahe hain. Huuuunnn.

Abhi Sarita apne aapse hi badbada rahi thi ki Tabhi Manisha kamre mein aa gayi.[/color]


[color=rgb(0,]Isken Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 97[/color]

[color=rgb(51,]Abhi Sarita Apnea apse hi badbada Rahi thi ki Tabhi Manisha kamre mein aa gayi. Usne Sarita ko badbadate huwe dekha to wo boli.

Manisha- Kiske upar apna gussa nikal Rahi ho didiya.

Sarita Manisha ko dekhkar chaunk gayi aur boli.

Sarita- Tum kab aayi.

Manisha- (muskurate huwe) Tabhi aayi. Jab tum apni baton ki teer se kisi ko ghayal kar rahi thi.

Sarita- hahahaha. Very funny. Aisa kuchh bhi nahi tha. main to bas aise hi.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne bister par baithte huwe usase kaha.

Manisha- Achha ye sab chhodo didiya. Mujhe aapse ek bahut jaroori baat karni thi.

Sarita- Kaun si jaroori baat.

Manisha- Ye batao ki tumhe boss kaise lagte hain??

Sarita- Kaun boss??

Manisha- Are tumhare DSP Sahab aur kaun.

Ek to Sarita Nishchal par pahle se hi gussa thi. Manisha ki baat ne aag mein ghee ka kaam kiya. Sarita ka gussa fat pada aur wo boli.

Sarita- kaise lagte hain kaise Ab kya bataun tumhe main. Wo insan hi nahi hain. shaitan hain shaitan. Ek number ke khadus hain. Abhi kuchh der pahle phone kiya tha maine. Baat karne ki tameez nahi hai unhe. Sochte hain bas har wakt unki hi chalegi. Hitlar kahi ke. Topumal kahi ke. Agar ek top mujhe mil jaye to sabse pahle main unhi ko uda doon...

Sarita bole ja rahi thi. wo rukne ka naam hi nahi le rahi thi. Manisha ne Sarita ka hath pakadkar use rokte huwe kaha.

Manisha- (hanskar) Shant ho jao kali maai. Shant. Maine to bas itna poochha tha ki wah aapko kaise lagte hain aur aap ho ki unhe top se udane par tuli hui ho.

Sarita ko jab is baat ka ehsas huwa ki wo gusse mein kuchh jyada hi bol gayi hai to wo apni galti chhupane ke liye Manisha se poochaa.

Sarita- Waise tum kyon puchh rahi thi ye mujhse.??

Sarita ki baat sunkar Manisha sharmane lagi to Sarita ne kaha.

Sarita- Bata na. kyon puch rahi thi.

Manisha- Setting karni thi.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne apne aankhe badi karke use ghoorte huwe kaha.

Sarita- Setting. Kiski Setting. Kaisei Settting??

Manisha- main tumse isliye puchh rahi thi didiya ki agar tumhare man mein unke liye kuchh ho to main aage na badhu. Lekin tumse to ye clear ho hi gaya ki tumhare man mein unke liye kuchh nahi hai. isliye main hi try maar leti hoon. Aakhir itna handsom aur Well setuld ladka aakhir kahan milega. Waise bhi isme koi burayi bhi nahi hai.

Sarita- (uchhalte huwe) Kyaa?? Kyaa kaha?? Tum pagal wagal to nahi ho gayi ho. Padhne-likhne ko kah do to naani yaad aa jati hai, lekin aise ulte sidhe kaam karne ke liye bahut dimag chalta hai tumhara.

Manisha- To isase tumhe kya problem hai didiya??. Tum to unhe pasand karti nahi ho to kam se kam mujhe to pasand karne do. Ho sakta hai mera hi bhala ho jaye.

Sarita- (chidhkar) Koi jaroorat nahi hai tumhe pasand karne ki. Bahut se log hain jo unhe pasand karte hain. tum rahne hi do.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne Apne man mein kaha.

Manisha- Hhhmmmmmmm bahut se logo ka pata nahin lekin tum to ho hi. Abhi tumhe pata nahi hai par tumhara ab boss ke bina man nahi lagta. Jab se tum yaha aayi ho tab se main dekh rahi hoon ki tum bahut bechain ho didiya.

Mujhe nahi pata ki is bechaini ka karan boss hain ya kuchh aur, lekin ab main unhe tumse aur door jane nahhhi doongi. Tumhe unki halat ka andaza nahi hai par main janti hoon ki tumhare gayab ho jane ki baat sunkar unpar kya biti hogi. Bahut pyaar karte hain wo tumse

Sarita me Manisha ko sochte huwe dekha to kaha.

Sarita- Manisha. Ab Jyada dimag mat laga in faltu ki cheejon mein. Apna dimag padhai mein laga jo aage chalkar tujhe kaam dega.

Manisha- Tumhe kya dikkat hai didiya. Agar main unke bare mein sochu. Agar main unse pyaar karun to.

Sarita- (jhallate huwe) Kisi aur se pyaar karte hain wo Manisha.

Manisha- Kya baat kar rahi ho didiya. Tumhe pata hai iske bare mein.

Manisha ko laga ki shayad Sarita ko pata hai ki Nishchal usase pyaar karta hai. isliye Manisha ne khush hote huwe ye poochha to Sarita ne kaha.

Sarita- Haan. Mujhe pata hai ki Sir Charu se pyaar karte hain.

Manisha- (chaukte huwe) Kya Chaaru se?? kaun charu.

Sarita- Wo Anant ji ki bahan Charu.

Sarita ki baat sunkar Manisha Muskura uthi aur boli.

Manisha- Didiya.. Tumhe jaroor koi galta fahmi hui hai. Ho sakta hai charu Boss ko pasand karti ho, lekin boss use pasand nahi karte hain.

Sarita- Mujhe koi galatfahmi nahi hui hai Manisha. Maine khud apni aankho se dekha hai aur kano se suna hai.

Fir Sarita Manisha ko wo sab bate bata deti hai jiske karan use lagta tha ki Nishchal Charu se pyaar karta hai. jise sun-ne ke baad Manisha ne kaha.

Manisha- May be didiya. Aisa ho bhi sakta hai. (apne man mein) Boss bhale hi aisa bolte ho didiya, lekin unke dil mein sirf tum hi basi ho. (Sarita se) Achha main kuchh der mein aati hoon.

Itna kahkar Manisha Sarita ke kamre se bahar chali gayi aur usne Nishchal ko phone lagakar Abhi hui sari baat batayi to Nishchal ne hanste huwe kaha.

Nishchal- Yaar Tumhari bahan ne to pata nahi kya kya soch liya mere bare mein, lekin usne ek baar bhi ye nahi socha ki ho sakta hai ye sari batein uske liye hi ho. tumhari bahan bhi na sach mein kamal ki hai.

Manisha- Isliye ab aap aur bhi jyada der mat kijiye. Jald se jald didiya ko propose kar dijiye. Kahi aisa na ho ki bahut der ho jaye.

Nishchal- Main kya karun yaar. Main to bahut sochta hoon ki usko apne dil ki baat kah doon, lekin jab bhi main uske samne jata hoon to meri bolti hi band ho jati hai. mujhe dar lagne lagta hai ki pata nahi meri baat sunkar Sarita kaise react karegi. Isliye uske samne mere munh se kuchh nikalta hi nahi.

Manisha- To aap ek kaam kariye. Aaine ke samne khade hokar thoda practice kar lijiye. Jisase didiya ke samne aapko aasani hogi. Baki main sab sambhal lungi.

Nishchal- (Hansne huwe) Wo kaise??

Manisha- Uske liye aapko yahan aana padega.

Nishchal- Achha. Abhi to thoda case mein uljha huwa hoon. Jaise bhi hoga main tumhe bata dunga.

Manisha- Okkk boss. Thoda jaldi kariyega. I am so excited.

Nishchal- Chhote miya. Thank you.

Manisha- Anything for you Jeeja ji.

Manisha ke munh se jeeja ji sunkar Nishchal sharma gaya aur phone cut kar diya. Phone rakhne ke baad Manisha ne kaha.

Manisha- Now its time to start the Next Step.

Ye bolkar Manisha koodti hui Sarita ke kamre ki taraf chal padi. jab Manisha Sarita ke kamre mein aayi to Sarita apne sir par hath rakhe huwe baithi thi aur kisi soch mein gum thi. Sarita ko pata nahi chala ki kab Manisha kamre mein aa gayi. Sarita ko aise soch mein baithe huwe dekhkar Manisha uske kan ke paas jor se jakar chillayi.

Manisha- Didiya.

Manisha ki aawaj sunkar Sarita Dar gayi aur wo jor se chillayi.

Sarita- Aaaahhhhhhh. Manishaaaaaaa..

Dono ke chillane ki aawaz sunkar Rani ji bhagti hui uske kamre mein aayi to unhone dekha ki Sarita aur Manisha dono ek doosre ko takiye se maar rahi hain. Jise dekhkar Rani ji ne kaha.

Rani ji- Tum dono yahan par masti kar rahi ho aur mujhe laga ki pata nahi kya ho gaya. Cheekh sunkar to meri jaan hi nikal gayi thi.

Raani ji ki aawaz sunkar Manisha bister se uthkar Unke pichhe jakar khadi ho gayi aur unhe huge karte huwe boli.

Manisha- Dekho na mumma. Ab didiya thik ho gayi hai to isi tarah meri dhunaai karegi. Is ghar mein to meri koi value hi nahi hai. Har koii mujhe siddha samajhkar kootkar chalta banta hai.

Manisha ki baat sunkar Turant Sarita ne kaha.

Sarita- Maa. Aap iski baat mat sun-na. ye utni bhi sidhi nahi hai jitni yah sabko dikati hai. shaitan ki nani hai ye.

Raani ji- Hmmmm mujhe pata hai ki kaun kaisa hai. is baar bhi poori galti iski hi hogi.

Raani ji ki baat sunkar Manisha aakar unke samne khadi ho gayi aur boli.[/color]


[color=rgb(51,]Manisha- Mummaa[/color].

[color=rgb(51,]Manisha ne abhi itna hi kaha tha ki Raani ji ne uska kaan pakadkar use marod diya to Manisha dard se chillane lagi.

Manisha- aaaahhhhhh. Mummmaaa.

Raani ji- Ab chupchap se rahna, Mujhe bilkul bhi shor sharaba nahi chahiye.

Itna kahkar Raani ji kamre se bahar chali gayi. Manisha ek kone mein chupchap baith gayi. Manisha 5 minute tak chupchap aise hi baithi rahi. Sarita ko bahut kharab laga ki uski wajah se Manisha ko dant padi to wo Manisha ke paas jakar boli.

Sarita- Sorry... Par tumne achanak se kiya to main dar gayi thi.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne kuchh nahi kaha aur doosri taraf munh karke baith gayi to Sarita ne kaha.

Sarita- Ohhhh Sorryy na. Itni der chup chap baithna tumhe shoot nahi karta. Ab gussa thook bhi do.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne man hi man kaha

Manisha- Abhi thodi der aur mujhe manao tab jakar main baat karungi.

Sarita ne jab dekha ki Manisha kuchh nahi bol rahi hai to wo apne bed par wapas jane lagi. To Manisha ne turant uska hath pakad liya aur kaha.

Manisha- Waise aap soch kya rahi thi.

Sarita ko Manisha se is prakar ke prashn ki ummeed nahi thi ki Manisha aisa kuchh puchh legi. Isliye uske puchhne se Sarita hadbada gayi aur boli.

Sarita- Kuuu... kuchh bhi to nahi.

Itna kahkar Sarita bed par baith gayi to Manisha bhi aakar uske paas baith gayi aur kaha.

Manisha- Waise didiya tumne ek baat to bilkul sahi kahi thi.

Sarita- Kaun si baat.

Manisha- Yahi ki Boss aur Charu relationship mein hain.

Manisha ki baat sunkar Sarita hairaan rah gayi aur boli.

Sarita- Tumhe kaise pata.

Manisha- Tumhi ne to bataya tha.

Sarita- Par tumne to kaha tha ki ho sakta hai ki ye jhooth bhi ho.

Manisha- Maine aisa kab kaha??? Waise achha hi hua ki mujhe pata chal gaya. Varna main phaltu hi unke pichhe padi rahti aur apna samay barbaad karti.

Sarita- Waise tum itni shyor kaise ho.

Manisha- Maine boss se poochha hai abhi.

Sarita- (jor se) Kuyaa?? Tumne Sir... se baat ki is bare mein.

Manisha- hmmmm. To isme itna chaukne wali kaun si baat hai??

Sarita- (badbadate huwe) Achha. Jab maine call kiya tha to hitlar ko bahut important kaam tha.

Manisha- didiya. Ye to sab importance ki baat hoti hai ki kaun unke liye kitna matter karta hai. Agar aap unke liye matter karti to wo jaroor aapse baat karte.

Manisha ki baat sunkar Sarita ka munh ban gaya. Manisha se Sarita se kaha.

Manisha- Achha Ek baat sach sach batana didiya.

Sarita- Ab kya hai.

Manisha- Maan lo ki agar boss Charu se pyaar na karte hote to.

Sarita- Are wo to pyaar karte hain na Chaaru se.

Manisha- Are didiya. Maine kaha ki maan lo ki agar boss charu se pyaar na karte hote to...

Sarita- To kyaa Manisha.

Manisha- main ye kah rahi thi ki agar boss Charu se pyaar na kar rahe hote aur wo aapko propose kar dete to aap kya karti.

Sarita- (hairani se) Kya.. Ye kya baat kar rahi ho tum Manisha.

Manisha- maine to bas ek sawal poochha hai aapse. Isme itna hairan kyon ho rahi ho didiya aap.

Sarita- tum plz abhi yaha se jao. Mujhe thodi der aaram karna hai.

Manisha- Tum aaram karo na. maine kaha aapko jagne ke liye kaha hai.

Sarita- Bahas mat karo mujhse tum. Jao yaha se.

Manisha muskurate huwe kamre se bahar nikal gayi. bahar nikalte huwe wo apne aapse boli.

Manisha- Ab tum meri baat ko raat bhar soch soch kar pareshan hoti rahogi. Ab tumhe jalan mahsoos hogi. Mera plaan ka pahla charan poora ho gaya hai. Dekhti hoon iska kya nateeza nikalta hai.

Udhar Manisha ke jane ke baad Sarita sone ki koshish kar rahi thi lekin baar baar Manisha ki baate uske dimag mein ghoom rahi thi. Abhi tak to use Nishchal hi aankh band karne par dikhayi padta tha, lekin ab Manisha ki baat sunkar use aankh band karne par chaaru aur nishchal sath mein dikhayi padne lage. To wo uthkar apne bister par baith gayi.

Sarita- (man mein) is aadmi ne to mere dilo dimag mein kohram macha kar rakha huwa hai. ye kya kam tha jo ab apni masuka ke sath mujhe darshan dene chale aate hain.

Isi tarah 7-8 din aur beet jate hain. In 7-8 dinon mein Sarita lagbhag thik ho chuki thi. hontho ke ek taraf abhi cut ka Nishan thoda bahut maujood tha aur ek gaal par kuchh kalapan bhi tha, lekin ab wo duty join karne ke liye ekdam taiyar thi.

In 7-8 dino mein ek bhi din aisa nahi gujra jab sArita ne Nishcahl ko yaad na kiya ho. Sarita ko ab apni duty par wapas jana tha. jaha par uska samna Nishchal se hone wala tha.

Udhar Nishchal ne is bich case ke sambandh mein poori khojbin kar li thi. Raawat se poochtachh karke Police ne Raghu ko bhi dhoondh nikala tha. jise Rawat ne chhupa rakha tha. Raghu aur Bachha Singh ko jab ye pata chala ki Rawat aur DIG dono ne un dono bhaaiyo se dhokha kiya hai to unhe bahut gussa aaya.

Kadi suraksha ke bich RAWAT, NETA aur DIG ka ilaz karaya gaya aur fir kadi surakhsha ke bich unhe Adalat mein pesh kiya gaya. Raghu aur Bachha Singh ne Rawat, Neta aur DIG ke dhokhe ke karan Sarkari gawah ban-na hi behtar samjha.

Adalat mein Rawat, Neta aur DIG ke khilaf Bachha Singh aur Raghu ne gawahi di. Tino apne aapko begunah batate rahe.

Unke Wakil ne bhi unhe begunah sabit karne ki bharpoor koshish ki. To Nishchal ne video aur Audio subut Adalat mein pesh kiye, Micro camare Nishchal, Jawed aur Mohit ne Sarita ke paas jate samay apne pant ki jeb mein chhupakar le gaye the.

Tino ke wakil ne video aur Audio se chhedkhani karne ka aarop lagaya to Adalat ne Agle din ka bolkar court barkhast kar di aur Use janch ke liye forensic lab bhej diya gaya jaha se ye proff ho gaya ki Audio aur Video se koi chhedchaad nahi ki gayi hai aur wo asali hi hain.

Jiske binah par Neta, Rawat aur DIG ko Umar kaid ki saza sunayi gayi. Sath mein Rawat, Neta aur DIG ke case ko seriously lete huwe Adalat ne Tino ko alag sel mein kadi suraksha ke bich Rakhne aa Aadesh diya.

Sarkari gawah ban jane ke karan Raghu aur Bachha Singh ko 6-6 sal ki saza sunayi gayi. Abhishek ko bhi usi samay Adalat mein pesh kiya gaya. Nishchal ke bayan par aur Raghu singh, Bachha Singh, Rawat aur Neta ki pakadwane mein yogdan dene ke karan Adalat ne uske gunah ko bahut kam mante huwe 9 mahine ki kaid ki saza sunayi.

Poore desh mein ye mamla charcha ka Vishay bana huwa tha. Har news channels par yahi sab khabre dikhayi ja rahi thi. Sarita ke gharwalo ko bhi pata chal gaya tha ki Abhishek ko 9 mahine ki jail ki saza hui hai. Nishchal ne Sarita ke gharwalo se baat ki aur Raani ji ko is baare mein samjhaya.

Uske baad Bachha Singh aur Raghu ki Nishandehi par desh ke kai shaharon mein Is tarah ke Kai giroh ka pardafaas hua jo Rawat aur DIG ke sath Is tarah ka galat kaam karte the.

Isi tarah Asali apradhi ko unke kiye ki saza mil gayi.[/color]


[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 98[/color]

[color=rgb(51,]Udhar Sarita ke duty join karne ka samay aa gaya. Jis din Sarita ko jana tha us din Raani ji ne kaha.

Raani ji- Is baar main bhi tumhare sath mein chalti hoon. Taki tumhe koi pareshani na ho.

Raani ji ki baat sunkar Manisha ne apna khurafati dimag lagate huwe kaha.

Manisha- Mummy. Agar aap didiya ke sath gayi to mere hone ka kya matlab hai??? Aap papa ke sath rahiye main didiya ke sath.

Raani ji- Waise bhi tumhare hone ya na hone se koi matlab hi nahi hai. mujhe tumpar bharosha nahi hai. main tumhare bharose sarita ko nahi chhod sakti hoon.

Manisha- Trust me mummy. I Will take care of her..

Aanand ji- Manisha. Tumhari mummy sahi kah rahi hai. is baar unka jana hi sahi rahega.

Manisha- Kya khak sahi rahega papa. Aap hi sochiye. Agar mummy didiya ke sath gayi to wo jyada din waha rah nahi payengi. Unhe ghar ki aur aapki yaad aayegi to wo hamesha chintit rahengi. Agar mummy chintit rahengi to didiya ka dhyan kaise rakh payengi. Main jaungi to aaram se mahine bhar didiya ke sath rahkar wapas aaungi.

Manisha ki baat sunkar Raani ji chup ho gayi to Manisha ne fir kaha.

Manisha- To main fir jaaun didiya ke sath.

Raani ji- Thik hai , par tum Sarita ko jyada pareshan mat karna. Tumhari complain nahi aani chahiye.

Manisha- Haaa ek main hi to hoon jo badmash hoon. Baki aapki ladli to doodh ki dhuli hui hai na. har samay mujhko hi sunati hain aap.

Sarita kafi der se uski baate sun rahi thi, ab wo uub gai thi to wo boli.

Sarita- Aap sabko pareshan hone ki jaroorat nahi hai main akele hi chali jaungi. Ab main bilkul thkk hoon. Plz mummy is baar jabardasti mat kARNA. Aur ye. Ye to chahti hi hai ki bas ise ghoomne firne ko mil jaye, Padhne likhne se to door door tak koi nata hai hi nahi iska.

Manisha- Agar sath mein nahi le jana hai to mat le jao, lekin is ke bich mein ye padhai-likhai ka tana mat diya karo mujhe didiya.

Aanand ji- Ab tum dono fir se mat shuru ho jao. Sarita tum Manisha ki baat maan kyon nahi leti. Manisha thik kah rahi hai. is samay tumhare sath kisi ka hona jaroori hai.

Aanand ji ki baat sunkar Sarita ne kuchh nahi kaha to Manisha uchhalte huwe boli.

Manisha- huuuuureeeeee. Main ja rahi hoon apni packing karne ke liye.

Manisha ki baat sunkar Raani ji ne apna sir pit liya aur kaha.

Raani ji- Ye ladki kabhi nahi sudhar sakti hai.

Raani ji ki baat sunkar Sarita aur Aanand ji muskura diye. Dono ne apni apni packing ki aur Agle din Jaunpur chali gayi. Sarita Manisha ko lekar apne PG mein chali gayi. Kuchh samay baad Savita ka phone aaya Sarita ko. Wasie Savita ne is bich roj baat ki thi Sarita se, Yaha aane ke baad Aaj fir uska phone aaya tha. Sarita ne phone uthaya aur baat shuru ki.

Sarita- Hello di. kaisi hain aap.

Savi- main thik hoon Sarita. Tum kaisi ho.

Sarita- Main bhi thik hoon di. Abhi wapas duty par aa gayi hoon.

Savi- ye to achhi baat hai. Tum abhi kaha par ho. Nishchal ke paas hi ho na

Sarita- Nahi di. Unke ghar ke bagal mein hi ek PG khalii tha to usi mein hoon. Aap pareshan mat hoiye. Aapke jane ke baad se main isi mein hoon. Abhi mere sath Manisha bhi hai to pareshani ki koi baat nahi hai.

Savi- Fir bhi agar tum Uske sath rahti to mujhe tumhari chinta kam hoti.

Sarita- Aap log faltu mein itna pareshan hote hain. main ab bilkul thik hoon.

Savi- Pareshan kyon na houn main. Aakhir tumhare sath ek ke baad ek hadse ho rahe hain. har baar tum par koi na koi musibat aa hi jati hai. tumhari chinta lagi rahti hain mujhe.

Sarita- main samajh sakti hoon di ki aap mujhe bahut pyaar karti hain, lekin main apna khyal rakh sakti hoon. Aap pareshan mat hoiye. Achha ye sab chhodiye. Pahle ye bataiye ki waha par sab kaise hain. aap khush to hain na.

Savi- sab thik hain. main bahut khush hoon. Ye sab tumhari wajah se hi huwa hai. Agar tum Nishchal ko na samjhati to shayad aaj hamari shadi na hui hoti.

Sarita- Ye kaisi baatein kar rahi hain aap di. ye sab Aapke bepanah pyaar ke karan huwa hai. Sachhe pyaar karne wale ek na ek din jaroor milte hain.

Savi- Kya baat hain. pyaar ke bare mein bahut gyan hai tumhe. Koi hai kya tumhari life mein. Jise tum pyaar karti ho.

Savi ke aisa kahte hi Achanak se Sarita ke samne Nishchal ka chehra aa gaya. Jisase sarita vichlit hone lagi. Udhar Sarita ke jawab na dene par Savita ne fir se poocha.

Savi- Kya huwa Sarita. Tumne bataya nahi maine jo poochha.

Sarita- Are nahi di. abhi aisa kuchh bhi nahi hai.

Savi- Achha Chalo thik hai. ab main phone rakhti hoon, baad mein baat karti hoon.

Sarita ne jab phone rakh diya to Manisha ne kaha.

Manisha- Kiska phone tha didiya.

Sarita- Savi di ka.

Manisha- Mujhe pata hai ki ab unhone tumhe boss ke ghar par rahne ke liye kaha hoga.

Sarita- Haan di yahi kah rahi thi. par unke jane ke baad se yaha sift kar liya aur akele mein waha rahna achha bhi nahi lagta hai.

Manisha- Abhi tum akele kaha ho. main hoon na tumhare sath. Tum waha rahti to kam se kam safe to rahti.

Sarita- Agar tumhe yahan kuchh kharab lag raha hai to tum ja sakti ho.

Manisha- Haad hai yaar didiya. Tum bhi na kamal ki ho. main tumhare liye hi to yaha par aayi hoon aur tum ho ki mujhe jane ke liye kah rahi ho. main tumhe chhodkar kyon jaungi bhala??

Sarita- Haan thik hai thik hai.

Uske baad dono bahanein aaram karne lagi. Manisha ne Nishchal ko massage bhej diya tha ki wo Jaunpur aa gayi hai. Nishchal ne jab Manisha ka massage dekha to wo Sarita ke milne ke liye betab ho gaya.

Usne jaldi jaldi apna kaam finish kiya aur shaam ko ghar aa gaya. Kapde change karne ke baad wo Sarita se milne ke liye chal pada.

Nishchal ne doorbell bajayi to Manisha ne darwaza khola. Nishchal ko dekhkar Manisha bahut khush hui aur chillate huwe boli.

Manisha- Boss. Aaap. Aaiye jee... I meens boss.

Fir wo Sarita se boli.

Manisha- Didiya. Aapke Nishchal Sir aaye hain aapse milne ke liye.

Sarita ne jab Nishchal ka nam suna to uske dil ki dhadkan tez ho gayi. usne apne sine par hath rakh liya. Manisha ne Nishchal ko sofe par baithakar kamre mein aayi aur Sarita se kaha.

Manisha- Ab aise hi khadi rahogi ya milne bhi jaogi didiya. Boss ko bahut kaam hai, unhe jana bhi hai.

Manisha ki baat sunkar Sarita jab Nishchal ke samne gayi to uski najarein hi nahi uth rahi thi. Nishchal kab sofe se uthkar uske samne aaya Sarita ko pata hi nahi chala. Aaj Nishchal ko Sarita ka rawaiya kuchh badla badla sa lag raha tha. Wo apne man mein bola.

Nishchal- Aaj ise kya ho gaya hai. ye itni shant kyon hai. Ab tak to ye mere upar chadhai kar deti thi, lekin aaj bilkul shant khadi hai. lagta hai ye mujhe dekhkar uncomfortable feel kar rahi hai.

Abhi Nishchal yahi sab soch raha tha ki Tabhi Manisha waha par aa gayi. Usne Nishchal ko dekhte huwe kaha.

Manisha- Are boss aap khade kyon hai. baithiye na. main aapke liye nashta lekar aati hoon.

Nishchal- Nahi Chhote miya. Uski jaroorat nahi hai. Kaka ne khana banaya hoga. Main jakar khana kha lunga.

Fir Nishchal ne Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.

Nishchal- To kal se tum duty join kar rahi ho na??

Sarita ne kuchh nahi kaha bas haa mein apna sir hila diya. Nishchal kuchh aur bolna chah raha tha ki tabhi uska phone bajne laga. Nishchal ne Excuse me bolkar kamre se bahar chala gaya.

Manisha ne Sarita ki taraf dekha to wo Nishchal ko jata huwa dekh rahi thi. Manisha ne Sarita se kaha.

Manisha- Phone par kaun tha di.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne kaha.

Sarita- Mere paas 50 aankhein nahi hain jo main dekh sakun ki kiska phone tha.

Manisha- ho sakta hai ki Charu ka phone ho, Kyonki PS se to phone aayega nahi Sir ko. Ghar walo ka phone hota to wo bahar jate nahi. Didi ka phone hota to wo tumse bhi didi ki baat karwate.

Manisha ke munh se Charu ka nam sunkar Sarita ko bahut gussa aaya aur wo chidhkar waha se hat gayi. Thodi der baad jab Nishchal baat karne ke baad wapas kamre mein aaya to waha par kewal Manisha baithi hui thi. Nishchal ne Manisha se poochha.

Nishchal- Chhote miya. Ye lady don mera matlab hai tumhari didiya kaha chali gayi??

Manisha- Charu ka naam sunkar wo chidh kar yaha se chali gayi.

Nishchal- (kuchh na samajhte huwe) Matlab.

Manisha- Are wo Aap jab bahar gaye to maine didiya se kah diya ki charu ki call aayi hogi to wo chidh gayi

Manisha ki baat sunkar Nishchal jor se hansne laga aur bola.

Nishchal- Are yaar uska phone nahi tha.

Manisha- ssshhhhhhhhhhhhh. Dhire boliye. Ye ham dono ko pata hai ki uska call nahi tha, lekin didiya ko to nahi pata na. to ham didiya ko charu ka naam lekar chidhayenge.

Nishchal- Par ye to galat hai. ek to wo aur pareshan ho jayegi charu ka naam sunkar. doosra wo mujhse bhi gussa ho jayegi. Kahi aise to nahi hai ki tum hamari dor jodne ke bajay use katne par tuli hui ho.

Manisha- Kya baat karte hain jeee.. Mera matlab hai ki Boss. Main khud chahti hoon ki didiya ko bhi aapke pyaaar ka ehsas ho jaye. Aakhir aap jaisa pyaar karne wala unhe koi nahi milenga to main kyun apni didiya ke pyaar ki dor ko katungi bhala.

Nishchal- Dekh lena fir. Sab tumhare bharoshe hi hai. Agar wo mujhse naraz ho gayi to main tumhe chhodunga nahi.

Manisha- (hanste huwe) Chilll boss. Wo kahte hain na ki pyaar mein agar jute bhi khana pade to wo bhi hanste hanste kha lena chahiye aur aap hain ki didiya ki narazgi se darte hain.

Nishchal- Haan haan. Tumhara bas chale to tum bich bazar mujhe pitwa do.

Manisha- Are boss. Bich bazar se yaad aaya. Wo us din bich bazar mein jab didiya ne aapke gaal laal kiye the to aapko kaisa laga tha.

Manisha ki baat sunkar Nishchal ne apna hath apne galo par rakh liya aur bola.

Nishchal- Sach kahu to shuru shuru mein mujhe bahut gussa aata tha is baat ko sochkar ki Nishchal singh Rathod ko kisi ladki ne pahli baar bina kisi galti ke thappad mara hai. main use apne jeewan ka sabse manhoos din samajhta tha,

lekin ab lagta hai ki wo din mere jeewan ka bahut khas din tha. Kyonki ki agar wo din meri zindagi mein na aaya hota to Sarita meri zindagi mein na aayi hoti. Agar Sarita meri life mein aa jaye to meri life swarg se bhi sundar ho jaye.

Manisha- Aaise hi hoga boss. Ab main aapko jaise bhi massage mein bataungi aapko waisa hi karna hoga. Ab se plan no. 2 shuru.

Fir Manisha ne apne man mein kaha.

Manisha- Mujhe pata hai ki didiya bhi ab aapse pyaar karne lagi hain, lekin na aap didiya se apne pyaar ka izhaar karenge aur na hi didiya aapse apne pyaar ka izhar karegi, isliye ab mujhe hi kuchh karna hoga. Ab mujhe hi aap dono ke pyaar ki naiya ka khewanhar ban-na hoga aur aap dono ke pyaar ki naiya ko paar lagana hoga.

Uske baad Nishchal aur Manisha ne kuchh batein ki aur Nishchal waha se chala gaya. Sarita aur Manisha dono ne khana khaya aur so gayi. Us raat Manisha ne Sarita se aur koi baat nahi ki.

Subah Sarita taiyar hokar PS mein pahuch gayi. Nishchal ne mohit aur jawed ko bata diya tha ki Sarita Aaj PS aayegi to Jawed, Mohit, Janhavi, Ranjana aur baki ke staff uska hi wait kar rahe the.

Sabhi ne Sarita ke PS pahuchne par uska jordar swagat kiya. Sarita Sabse bahut achhi tarike se mili. Poora staff use bahut dhyan se dekh raha tha. Sarita ne ye baat note kar li aur muskurate huwe kaha

Sarita- Are aap log mujhe aise kyon dekh rahe hain. main ab bilkul thik hoon. SAbhi log apni apni jagah par jaiye aur pahle ki tarah hi apna kaam kijiye aur meri bhi kaam mein madad kijiye.

Sabhi apni apni table par chale gaye aur apna kam karne lage. Sarita bhi apne cabin mein chali gayi. wo kai din baad aayi thi to file mein sir khapa rahi thi. Tabhi use Nishchal ki aawaz sunayi padi to uske kan khade ho gaye.

Sarita ne apna kaam band kar diya aur apni kursi par baithi rahi. Wo soch rahi thi ki Nishchal usase milne ke liye uske cabin mein jaroor aayega, lekin jab kaafi der tak Nishchal uske cabin mein nahi aaya to wo khud hi bahar aa gayi aur Janhavi ki table ke paas chali gayi jo file dekh rahi thi. Sarita ko dekhte hi wo khadi ho gayi to Sarita ne use baithne ke liye kaha aur poocha.

Sarita- Koi aaya tha kya??

Janhavi- Nahi madam. Koi bhi nahi aaya tha.

Sarita- Matlab koi bhii nahii??

Janhavi- Nahi madam koi nahi aaya??

Sarita- matlab Nishchal Sir bhi nahi.

Janhavi- Nahi madam Sir bhi nahi aaye. Koi baat hai kya madam.

Sarita- Nahi Nahi. Kuchh nahi. Wo ek cup chaai bhej dena.

Itna kahkar wo apne cabin mein chali gayi. Janhavi ko Sarita ka ye vyavhaar samajh mein nahi aaya. Wo apnea apse boli.

Janhavi- Ye madam ko kya ho gaya hai. kaise ulte sidhe sawal kar rahi thi. lagta hai madam ko abhi bhi kuchh dikkat hai. aakhir madam ke sath hadsa hi aise huwa hai jisase ubarne mein unhe waqt to lagega hi.

Sarita apne cabin mein pahuch kar apni kursi par tak laga kar chaat ko ghoorti hui boli.

Sarita- Ye mujhe kya hota ja raha hai. Abhi tak to wo meri neend hi uda rahe the. Ab to mere din ka chain bhi chheen rahe hain. Mujhe unki aawaz bhi sunai padne lagi hai. pata nahi kya hoga mera.

Yahi sab sochte huwe Sarita sara din kaam karti rahi. Sham ko wo apne kamre par aa gayi. Ghar aane ke baad Manisha ne Use Nishchal Aur charu ke bare mein bataya to wo chidh gayi aur waha se chali gayi.

Manisha ko ab isme maza aane laga tha isliye wo ghante do ghante mein ek baar Nishchal aur Charu ka jikar chhed hi deti thi. jo Sarita ko buri lagti aur wo chidh jati. Kabhi kabhi Sarita ko Charu ki baate sunkar Bahut adhik gussa ho jati to Manisha ko daaat bhi deti thi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 99[/color]

[color=rgb(51,]Isi tarah Din pe din bitne lage. Sarita aur Manisha Hafte mein ek baar Abhishek se milne ke liye jaroor jate. Abhishek ko bhi ye achha lagta.

Bit-te samay ke sath Sarita ke dilo dimag mein to jaise Nishchal ne kabja kar liya tha. Wo jab bhi nishchal ko dekhti to Sharma jati thi. Nishchal ko lekar uska vyavhar badal gaya tha. Usko bhi ye ehsas ho gaya tha ki uske dil mein Nishchal ko lekar kuchh na kuchh jaroor hai..

Kai baar jab wo akele hoti tho yahi sochti thi ki kahi use Nishchal se pyaar to nahi ho gaya hai, lekin Wo apne is vichar ko ye kahkar darkinar kar deti thi ki usne apna jo goal banaya hai pahle wo use hasil karegi uske baad wo pyaar vyaar ke bare mein sochegi.

Par Sarita ke baar baar koshish karne ke baad bhi use nakamyabi hi hath lagti thi. wo jitna apna dhyan Nishchal se hatane ke liye koshish karti Nishchal use utna jyada yaad aata. Sarita ko din-raat, sote-jagte bas Nishchal ka hi chehra dikhayi deta tha. Jab bhi koi aahat ya khatka hota use lagta ki Nishchal aaya hai.

Manisha jab bhi Sarita ke samne Nishchal ka naam leti to uski dhadkan anayas hi badhne lagti. Sarita ko bhi har bit-te pal ke sath ye ehsas hone laga tha ki wo dhire dhire Nishchal ke kareeb ja rahi hai. ya yuun kahein ki Nishchal ki yade use apni or kheech rahi thi. Sarita ka apne upar koi jor nahi rah gaya tha.

Parntu Sarita ko is baat ka bhi Ehsas tha ki Nishchal Charu se pyaar karta hai to wo uske sath koi jabardasti nahi karna chahti thi. Sarita ne soch liya tha ki Agar Nishchal Charu ke sath hi khush hai to wo Apne dil mein umad rahe jajbat ko kabhi bahar nahi aane degi aur dono ke pyaar ke bich mein nahi aayegi.

Udhar Manisha Har pal ki khabar Nishchal ko deti thi. Nishchal use Mana bhi karta tha ki wo ye sab na kare, lekin Manisha uski baat nahi manti aur use intezar karne ke liye bolti hai. Manisha bahut bariki se Sarita ko observe kar rahi thi. Usne Sarita mein har din ho rahe badlav ko bahut kareeb se dekha tha.

Manisha ne dekha tha ki jis ladki ko der raat tak padhne ki dhun sawar rahti thi. Wahi ladki ab der raat tak apni khidki par khadi Nishchal ke uske ghar aane ki pratiksha karti rahti thi. Nishchal ke aane ke baad hi Sarita khidki se hat-ti thi. Nishchal ke aane ke baad hi wo soti thi.

Jis ladki ne abhi tak apne khwabo mein sirf apne goal ko hi ahamiyat di thi. aaj wo apne khwabo mein Nishchal ka khwab dekhti hai. Jis ladki ko ye pyaar mohabbat befajool ki baat lagti thi aaj wahi use duniya ka sabse khoobsurat ehsas lagta hai.

Sarita Ab Nishchal ka samna karne se katrati thi. Uske samne jane se darti thi ki kahi unki aakhon ne ya uske labon ne kuchh aisa bol diya jisase Nishchal ke prati uske man mein kya jajbaat hain wo jahir na ho jaye. Wo Nishchal ko chhup chuup kar apni khidki se dekhti thi.

Sarita ko lagta tha ki iske bare mein kisi ko pata nahi hai to wo apni feeling ko jahir karke uska majaak nahi banana chahti thi. Manisha jo Sarita ko bahut bariki se observe kar rahi thi use ab apni bahan ki ye halat dekhi nahi ja rahi thi to usne aakhirkar Sarita se direct baat karne ka nirnay liya.

Ek din Sarita ko PS se aane mein der ho gayi. Aane ke baad Usne khana khaya aur khidki ke paas jakar khadi ho gayi. Us din Nishchal der raat tak ghar nahi aaya tha. Sarita bechaini se apni khidki ke paas idhar se udhar tahal rahi thi.

Sarita ko lagta tha ki use koi dekh nahi raha hai, lekin Manisha use kaafi der se dekh rahi thi. jab usase raha nahi gaya to wo Sarita ke paas gayi aur uske kandhe par hath rakh diya. Manisha ko dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- Are Manisha tum abhi tak jag rahi ho.

Manisha- Main kaise so jaun jab meri didiya itni bechain dikh rahi hai.

Sarita- Nahi to aisa to kuchh bhi nahi hai main to aise hi tahal rahi thi.

Manisha- Ek baat kahun didiya. Aap jo kuchh bhi sochti ho. jo kuchh bhi mahsoos karti ho jaakar sabkuchh boss ko bol do.

Sarita- Kya bol doon??

Manisha ne bina kisi deri ke turant khulkar sari baat karne ka faisla karte huwe kaha.

Manisha- Wahi jo Aap boss ke liye feel karti hain. main tumhe aur ghut-ghut kar jeete huwe nahi dekh sakti didiya. Tumhe kya lagta hai ki mujhe nahi dikhta ki Chaaru aur Boss ke pyaar ki bate sunkar tumhare lalaat par tanav aa jata hai aur Tumhari aankhon mein gussa. jo maine saaf dekha hai didiya.

Maine dekha hai ki ye soch soch kar tum raat bhar karwate badlati rahti ho ki Boss Charu se pyaar kate hain. tum hamesha bechain rahti ho. Der raat tak khidki par khade hokar Boss ka intezar karti rahti ho. Mujhe sab dikhta hai didiya.

Kahte hain ki agar apne jajbaat ko agar apne andar dabakar rakhoge to wo aapko chain se jeene nehi dega. Andar hi andar apko pareshan karta rahega. Isase to achha hai ki Jo bhi aapke man mein chal raha hai use bahar nikal kar chain ki sans li jaye.

Main aapko aur aise nahi dekh sakti. meri baat mano didiya. Bol do jakar boss se. ab aur der mat karo nahi to tum pagal ho jaogi. Haalat dekhi hai tumne apni. Kuchh hi din mein tum kya se kya ho gayi ho.

Sarita Manisha ko hairani se dekh rahi thi. use to bilkul bhi andaza nahi tha ki uski mastmaula, beparwah aur hamesha hansi majak karne wali bahan use itne dinon se itni bariki se observ kar rahi hai. Wah jis baat ko chhipati fir rahi thii wo baat Manisha use bata rahi hai.

Aaj use Manisha par bahut pyaar aa raha tha. Sarita ki munh se koi bol nahi phoot rahe the. Uski baat sunkar Sarita ki aankho se aanshu nikal aaye aur wo Manisha ke gale lagkar rone lagi.

Manisha ki aankhe bhi Sarika ke gale lagne ke baad chhalak aayi thi. Sarita ki aankho se itne din ki jo ghutan thi wo bahkar bahar aa rahi thi to Manisha ki aankho mein aanshu apni bahan ki halat dekhkar kar aa gaye the. Thodi der baad Manisha ne Sarita ko apne se alag karte huwe kaha.

Manisha- Ab bas karo didiya kitna rowogi. Thode aanshu apni vidayi ke liye bhi bacha kar rakho.

Sarita uski baat sunkar rote huwe hansne lagi aur boli.

Sarita- Wo to teri shadi mein bahaungi.

Manisha ne Sarita ke dono hath pakadate huwe kaha.

Manisha- Achha Bas karo ab aur jakar achhe se taiyar ho jao.

Sarita- Wo kisliye??

Manisha- Are Kisliye se kya matlab hai tumhara?? Tum apne dil ki baat boss ko is halat mein bataogi.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne uske hath par marte huwe kaha.

Sarita- Tum pagal ho gayi ho kya?? Abhi kaise??

Manisha- Haan to tum aise hi baith kar intezaar karte rahna aur wo Charu boss ko uda le jayegi.

Sarita- (hanste huwe) Charu. kya wo hanuman ji hai kya jo wo Sir ko uda le jayegi??

Manisha- Didiya Shubh kaam mein deri nahi karni chahiye. Waise bhi bahut jyada samay ho gaya hai Isliye tum abhi ke abhi jao.

Sarita- Bahut jyada samay matlab.

Manisha- Wo sab baat baad mein bhi ho sakti hai, lekin abhi jo kaam karna hai aapko uske upar focus karo.

Sarita- Are. par abhi to wo duty se aaye hi nahi hain to main wahan jakar kya karungi.

Manisha- Tum unke aane se pahle unka room khoob achhe se decorate kar dena taki tumhe boss ko impress karne mein jyada samay na lage.

Manisha ki baat sunkar Sarita hansne lagi aur hanste huwe boli.

Sarita- Tumhare paas itne khatarnak ideas aate kahan se hain.

Manisha ne Sarita ki hansi dekhi to apna munh bana liya aur boli.

Manisha- Ek to tumhein achhe achhe ideas de rahi hoon aur tum ho ki mera hi Mazak uda rahi ho.

Sarita- main tumhara Mazak nahi uda rahi hoon. Tum to janti ho ki main shuru se hi in sab cheezo se door hi rahi hoon. Achanak ye sab ho gaya to mujhe samajh mein nahi aa raha hai kuchh. Tum jo idea mujhe de rahi ho isase Sir impress ho ya na ho, lekin mera Mazak ban-na tay hai. Decoration. Ufffffff.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne apna sir pit liya aur kaha.

Manisha- Tum bhi na. Tumse to kuchh nahi ho sakta hai.

Sarita- Ab tum mujhse bahas mat karne lag jana. Isiliye main tumse kuchh bhi batana nahi chah rahi thi. tum chahe kuchh karo ya na karo lekin aise waise ideas dekar mujhe jokar jaroor bana dogi tum. Tum khud hi socho ki aise hi bina usko bataye un ke ghar mein ghuskar ye sab karna. Mujhe to ye sochkar hi hansi aa rahi hai.

Manisha- Achha Thik hai thik hai. agar ye plan sahi nahi lag raha hai tumhe to mujhe kuchh aur sochne do.

Sarita- Are meri bahna. Bas karo tum. Tumne mere bare mein itna kuchh socha wahi bahut hai mere liye.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne kuchh nahi kaha. Manisha ki dimag bahut tezi se kaam kar raha tha. uske dimag mein kuchh khurafat janam lene lagi aur usne apni mundi haan mein hila di.

Sarita- Chalo ab sote hain bahut der ho gayi hai.

Manisha- Hmmmmm. Chalo.

Dono aakar bister par so gayi. Agle din Sarita fir se apne samay se PS gayi. din bhar usne sara kaam kiya aur sham ko ghar wapas aa gayi. dono bahano ne khana banaya. Khana khane ke baad Manisha kamre mein chali gayi.

Sarita jakar khidki par khadi ho gayi. thodi der baad Nishchal ki gadi jab uske ghar aayi to wo apne kamre mein aa gayi aur Manisha ke bagal mein letkar kitab padhne lagi. Manisha ne Sarita se kaha.

Manisha- Boss aa gaye kya.

Sarita- Mujhe kya pata??

Manisha- to itni der se khidki par khadi hokar kiski pahredari kar rahi thi.

Sarita- Kisi ki bhi to nahi. Main to bas tahal rahi thi. tum soi nahi abhi tak

Manisha- Itni jaldi. Abhi to 10 hi baje hain. itni jaldi kaun sota hai bhala.

Sarita- Achha ab tum chupchap leto aur mujhe padhne do. Disturb bilkul bhi mat karna mujhe.

Manisha- (bister se utarte huwe) Main bathroom se aa rahi hoon didiya.

Sarita- thik hai jao.

Manisha kamre se bahar aati hai aur chaat par jakar Nishchal ko call karti hai. Manisha ki call dekhkar Nishchal ne phone uthaya aur kaha.

Nishchal- Haan bolo chhote miya. Kya haal chaal hai.

Manisha- mera to thik hai aap apna bataiye.

Nishchal- mera bhi badhiya hai.

Manisha- Aapne khana kha liya.

Nishchal- haan bas kuchh der pahle hi khaya hai.

Manisha- Abhi kya kar rahe hain aap boss.

Nishchal- Kuchh nahi. Khana khane ke baad tahal raha hoon.

Manisha- Waise boss. Mujhe lagta hai ki Didiya ko koi pareshani hai. wo bahut bechain dikhayi de rahi hain.

Nishchal- Kyaa huwa hai use??

Manisha- (udas aawaz mein) Ab ye to didiya ko hi pata hoga. Mere lakh puchhne par bhi wo mujhe bata nahi rahi hain aur aaj to unhone khana bhi nahi khaya hai.

Nishchal- Whaat?? Wo abhi jaag rahi hai ya so gayi hai.

Manisha- (udasi bhari aawaz mein) Abhi kaha soi hai . kab se usi baat ko lekar tension mein baithi hai.

Nishchal- Tum pareshan mat ho main aa raha hoon.

Manisha- Jaldi aaiyega.

Nishchal ne phone rakh diya. Phone rahne ke baad Manisha Khushi se uchhalte huwe boli.

Manisha- hoooooooo. Yeeeeeeee. Aaj to aap dono hi apne apne pyaar ka izhaar karenge. Aaj ke liye mujhe maaf kar dena didiya. Baad mein chahe to mujhe dant hi lena.

Abhi kuchh hi der hui thi ki Nishchal Waha par aa gaya. Manisha ne Pahle hi darwaza khula rakha tha to Nishchal andar aa gaya. Manisha darwaze ke paas hi munh latka kar khadi thi. Use dekhte hi Nishchal bola.

Nishchal- Kaha hain Lady done.

Manisha- Kamre mein hai chaliye mere sath.

Manisha Nishchal ko lekar kamre mein gayi. Sarita kitab padhne mein magan thi to uska dhyan Nishchal ki taraf nahi gaya. Manisha ne chalaki dikhate huwe Nishchal ke kamre mein jane ke baad Chupke se Darwaze ko dheere se bahar se sitkini laga di. Nishchal andar pahuchte hi Sarita se bola.

Nishchal- Tumne khana kyon nahi khaya abhi tak??

Nishchal ki aawaz sunkar Sarita chauk gayi, usne apna sir uthakar dekha to Nishchal samne khada tha. Sarita ko jab kuchh pata hota ya wo kuchh samajh pati ki Nishchal kis bare mein baat kar raha hai tab to wo kuchh jawab deti. Wo Nishchal ko dekhkar boli.

Sarita- Aap yaha. Is...

Abhi wo kuchh aur kah pati Nishchal ne fir se gusse bhari aawaz mein kaha.

Nishchal- maine puchha ki tumne khana kyon nahi khaya abhi tak.

Sarita- Aap jagte huwe bhi koi sapna dekh rahe hain kya?? Maine kab ka khana kha liya hai.

Nishchal- Lekin ye to bol rahi thi ki.....

Itna kahkar Nishchal piche palta to waha par Manisha nahi thi ye dekhkar Nishchal bola.

Nishchal- Are ye kaha gayi??

Sarita- Wo bahut badmash hai Sir. Usne jaroor aapke sath koi shararat ki hogi.

Nishchal- (Hanste huwe) maine jitna socha tha usase bhi jyada shaitan hai ye.

Sarita Nishchal ki baat sunkar Muskurane lagi aur darwaze ke paas jakar darwaza kholne lagi to darwaza bahar se band tha, ye dekhkar Sarita boli.

Sarita- Manisha darwaza khol.

Bahar se jab Manisha ne koi jawab nahi diya to Sarita ne thoda gusse se kaha.

Sarita- Dekho Manisha ye Mazak ka samay nahi hai. darwaza kholo nahi to aaj tum mujhse achhe se pitogi. Tumhari bhalayi isi mein hai ki tum darwaza khol do.

Manisha bahar baithi Sarita ki baat sunkar muskura rahi thi. Use ek shararat sujhi aur usne apne mobile mein gana baja diya.[/color]

[color=rgb(65,]Ham tum ek kamre mein band ho.[/color]

[color=rgb(65,]Aur chabhi kho jaye.[/color]
[color=rgb(65,]Tere naino ki bhool bhulaiya mein.[/color]
[color=rgb(65,]Bobby doob jaye.[/color]

[color=rgb(51,]Bahar khadi manisha is gane ki dhun par jor jor se ga bhi rahi thi. Jaha par gane ke bol mein Bobby doob jaye uski jagah Manisha ne [/color][color=rgb(0,]Didiya doob jaye [/color][color=rgb(51,]kaha to Sarita ko bahut gussa aaya. Wo turant Nishal ki taraf mud gayi aur use dekhne lagi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 100[/color]

[color=rgb(51,]Bahar khadi manisha is gane ki dhun par jor jor se ga bhi rahi thi. Jaha par gane ke bol mein [/color][color=rgb(84,]Bobby doob jaye[/color][color=rgb(51,]uski jagah Manisha ne [/color][color=rgb(65,]Didiya doob jaye [/color][color=rgb(51,]kaha to Sarita ko bahut gussa aaya. Wo turant Nishal ki taraf mud gayi aur use dekhne huwe boli.

Sarita- I am sorry Sir. Manisha ki wajah se aapko itna pareshan hona pad raha hai.

Nishchal Sarita ki taraf hi dekh raha tha. Jab Sarita ki aankhe Nishchal se mili to usne apni najarein jhuka li. Nishchal ne muskurarte huwe kaha.

Nishchal- Koi baat tumhe pareshan kar rahi hai Kya.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne ek najar Nishchal ki taraf dekha fir turant apni najare pher li aur kaha.

Sarita- Nahi. Nahi to. Ye sari shaitani Manisha ki hai aur kuchh nahi.

Sarita ki baat sunkar Nishchal uski taraf badhte huwe kaha.

Nishchal- Isme uski koi shaitani nahi hai, balki main khud kai dino se tumko notice kar raha hoon. Tum bahut badal gai ho. ab tum wo pahle wali Miss Joshi nahi rahi jo baat baat par dana pani lekar mere upar chadh jati thi. mujhse jhagda karti thi, mujhse gussa karti thi.

Lekin Ab tum mujhse ladna jagadna bn aur gussa dikhanaa to door baat hi karna pasand nahi karti ho. mere samne aana hi nahi chahti ho, agar galti se aa jati ho to bahut incofertable feel karti ho, jaise is samay kar rahi ho.

tumhara yah roop pahle se bilkul alag hai. Tumhe koi samasya hai kya. Agar koi baat hai to tum bejhijhak mujhse kah sakti ho.

Nishchal ki baat sunkar Sarita bagle jhankne lagi. Use samajh mein nahi aa raha tha ki wo Nishchal ki baat ka kya jawab de. Wo to soch rahi thi ki uske kriya-kalapo par kisi ki najar nahi hai, lekin pahle Manisha aur ab Nishchal ki baat sunkar Sarita ke hosh udd gaye the. Use kuchh bolte nahi ban raha tha , tabhi uske mobile ki massage tone baji to Sarita ne kaha.

Sarita- Sorry sir. Ek minute. Mobile mein massage aa raha hai.

Ye kahkar Wo bister ke paas chali gayi aur apna mobile uthakar dekhne lagi. Massage Manisha ka tha Usne likha tha ki [/color][color=rgb(65,]bol do didiya. Isase achha mauka tumhe fir kabhi nahi milega.[/color]

[color=rgb(51,]Sarita kabhi mobile screen par dekhti to kabhi Nishchal ki taraf chor najaro se dekhti. Nishchal ye dekhkar aage badhkar Uske paas aaya aur uske hath se mobile le liya aur massage par apni nigah dali fir Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.

Nishchal- Kya baat hai Sarita?? Kya kahna hai tumhe jiske bare mein chhote miya tumse bol rahi hain??

Nishchal ki baat sunkar Sarita ke munh par tala lag gaya uske munh se bol hi nahi foot rahe the. Uske kuchh na bolne se Nishchal ne uski banh pakad li aur use apne paas kheech liya aur bola.

Nishchal- Batao mujhe.

Udhar Sarita ke dil ki dhadkan train ki raftaar ki tarah sarpat bhag rahi thi. uske peshani par bal pad gaye the. Mathe par pasina aa gaya tha. uski najarein jhuki hui thi. wo apna hath chhudate huwe hadbadakar boli.

Sarita- wo. main.. wo main. haan wo mujhee yee puchhna tha aapse.. Kii. rawat ne mujhe. kahan par rakha hai. Ye baat aapko... Aapko kaise pata chali.

Nishchal Sarita ki baat sunkar Muskura utha aur bola.

Nishchal- Tum shyor ho ki tumhe mujhse yahi baat puchhni hai.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne haan mein apna Sir hilaya to Nishchal ne use pakadkar bed par baithaya aur paas mein padi chair par khud baith gaya. Sarita ab bhi apni najarein jhukaye baithi hui thi. chehre par sharam ki lali chha gayi thi. Sarita ko baithane ke baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- to Miss joshi ko ye jan-na hai ki mujhe us jagah ki location kahan se mili jis jagah Rawat ne tumhe chhupaya tha. Jaha tak mujhe lagta hai ki tum main baat na kahkar baat ko ghuma rahi ho, lekin fir bhi tumhari tasalli ke liye main ye bata deta hoon ki mujhe pata kaise chala.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apna sir haan mein hila diya to Nishchal ne batana shuru kiya.

Nishchal- to Suniye fir. Jiske liye tum itne din se pareshan ho.[/color]


Jab Nishchal Sarita ko dhoondh raha tha uss samay ki baat

[color=rgb(51,]Nishchal- Jab mujhe tumhare gayab hone ki khabar Manisha ne di to main bahut pareshan ho gaya tha. mujhe samajh mein nahi aa raha tha ki main tumhe kahan dhundhu. Mere dimag ne kaam karna bilkul bhi band kar diya tha. Fir maine us jagah se shuruaat ki jis jagah se tum gayab hui thi.

Manisha ke batane ke baad main us address par pahucha. Mall ke CCTV mein dekhne ke baad mujhe pata chala ki tumhara kidnap ho gaya hai. ye dekhkar mujhe itna to pata chal hi gaya ki tumhara kidnap kisi ne apni personal dushmani nikalne ke liye kiya hai.

Fir maine local police ki madad li aur tumhara phone track karwaya to uski location Allahabad Kanpur highway par dikhayi di. jo chhan-bin karne ke baad laga ki wo hame gumraah karne ke liye kidnaparo ki chal thi.

usi din shaam ko Jaawed aur mohit ka laagatar phone aa raha tha, lekin main pareshan tha isliye dhyan nahi de paya ispar. Agle din jab maine usase baat ki to pata chala ki Raghu jail se bhaag gaya hai.

Jawed ki baat sunkar mera matha thanka ki ho na ho tumhari kidnaping ki poori jankari mujhe yahi se milegi. Matlab ye ki mujhe tumhare paas pahuchne ki ek chhoti si kiran najar aayi. Raghu ke bhagne se itna to mujhe pata chal hi gaya tha ki ye kaam Bachha Singh ka nahi ho sakta, Uske jail se bhagne ke pichhe jaroor apne hi department ke kisi policewale ka hath hai,

Kyonki itni tight security ko todkar bhag jana Itna Aasan nahi tha. Yahi se mera matha thanka ki ho sakta hai Raghu ka bhagna tumhari kidnaping se juda huwa hai.

Maine, mohit aur jawed ne Bachcha Singh ke aadmiyo se poochhhtach ki aur unpar najar rakhne ke liye kaha. Aur jald hi ham bachha Singh tak pahuch gaye. Maine bachha Singh se Sakhti se puchhtachh ki to Usne is baat se saaf inkar kar diya ki tumhari kidnaping ke bare mein use kuchh pata hai. wo to mujhse hi poochhne laga ki Raghu ko mere paas hona chahiye. Use Raghu ke bare mein koi jankari nahi hai.

Bachcha Singh baar baar kisi neta ka naam le raha tha. Pahle to mujhe shak huwa ki wo apna bachav karne ke baad neta ka naam le raha hai, isliye maine use girftar kar liya aur thane lekar jane laga.

Tabhi mujhe Tumhare bhaai ka phone aaya aur usne mujhe Important baat bolkar bula liya. Jab main waha pahucha to Usne Mere samne fir se wahi Tasvir Rakh di jo usne banayi thi. maine usase kaha.

Main- Ye Sab kya hai. Aap mujhe fir se wahi Tasvir dikha rahe hain jo us din aapne dikhayi thi. Aapko pata hai na ki main is samay Sarita ko dhoondh raha hoon. Mere paas is bare mein abhi sochne ka bilkul bhi samay nahi hai.

Abhishek- Mujhe pata hai ki Aap Sarita ko dhoondh rahe hain. Wo meri bhi bahan hai aur mujhe bhi use dhoondhna hai. aur ye tasvir maine kuchh der pahle hi complete ki hai. Ye tasvir aur pichhli tasvir dono same hi hain. Maine phichhli baar hi aapko bataya tha ki ye dono wahi hain jo Sarkar aur boss ke naam se Bachha Singh aur Raghu se baat karte hain.

Main- lekin aisa kaise ho sakta hai. Aap samajh bhi rahe hain ki jis insan par aap ye ilzam laga rahe hain wo bahut hi imandar police officer hain. wo mujhe apna beta mante hain. mera to chhodo wo Sarita ko apni beti jaisa mante hain. wo aisa kaam nahi kar sakte.

Abhishek- maine jo tasvir banayi hai wo bilkul sahi hai aur agar aap in dono ke bare mein jante hain to ek baar koshish kariye sachhayi pata karne ki. Ho sakta hai ki Sarita inhi dono ke paas ho.

Main- main dono ko to nahi janta, lekin ek to Sarita ke PS mein hi hain aur bahut hi sensior aur imandar officer hain. Mujhe unke upar poora bharosha hai, lekin Sarita ko dhoondhne ke liye ek baar main aapki baat mankar pata karta hoon kuchh. Dhanyawaad aapka. Ab main chalta hoon.

Abhishek- main bhi chalugna aapke sath. Mujhe bhi apni bahan ko dhoondhna hai.

Main- Nahi aap nahi aa sakte.

Abhishek- Plz Sir. Aap mera bharosha kariye. Main sirf aapki madad karna chahta hoon apni bahan ko dhoondhne mein. Plz Sir.

Main- Achha Thik hai. aap aa sakte hain mere sath, lekin mere pichhe pichhe. Jaha par sarita hogi us jagah khatara bhi hoga. To aap waha par chhupkar rahiyega. Agar aisi setuation aa jaye ki aapko samne aana pade tabhi aap samne aaiyega. Nahi to aap bahar chhupkar hi rahiyega. Ek baat aur. Sarita ke mil jane ke baad aap chupchaap wapas yahan par aa jaiyega.

Uske baad main waha se PS Aaya aur Bachha singh se fir poochhtachh ki to uska jawab ab bhi wahi tha. maine Bachha Singh ki baat ko aadhar banakar us neta ki poori details nikalwayi. Fir maine us Neta ki call details bhi nikalwayi to usme ek baar Rawat sir ka number Show ho raha tha. maine Jawed se poochha.

Main- Jawed Rawat Sir kaha par hain.

Jawed- Wo bata rahe the ki New delhi mein koi meeting hai Aaj to wo do din pahle hi meeting attende karne chale gaye.

Maine socha ki main to chhutti par tha to ho sakta hai koi schedule bana gaya ho meeting ka. Jiske bare mein mujhe pata nahi hai. ye sochkar maine is par jyada dhyan nahi diya. Tabhi mujhe Abhishek ki baat yaad aayi. To mere samne Rawat Sir ki aankhe ghoomne lagi.

Fir maine New Delhi phone lagaya aur Aaj hone wali meeting ke bare mein poochha to pata chala ki koi meeting hain hi nahi. Maine unse ek do din baad kisi meeting ke barein mein pochha to pata chala ki agle 15 tak meeting ka koi schedule nahi hai.

Ab to Mera bhi dimag kam nahi kar raha tha ki Sir ko jhooth bolkar jane ki kya jaroorat thi. maine Sir ki call details nikali to usme se mujhe kuchh bhi aisa nahi mila jo sandehaspad ho.

lekin mujhe pata nahi kyon lagne laga tha ki Rawat Sir ke sath kuchh na kuchh gadbad hain Tabhi wah meeting ka bahana banakar gaye hain. fir maine Us neta ki call details dobara check ki to ek number se pichhle kai dino se lagatar kai ghante baat hui thi.

Maine neta ka number aur Us number ko Servilance par dal diya to sanyog se dono number ki location ek hi jagah dikhane lagi. Jab maine Rawat Sir ka Number Trace kiya to uski bhi location same hi dikha rahi thi jaha par neta aur us number ki location dikha rahi thi.

shayad Rawat Sir ne apna mobile off karna bhool gaye ya fir unhe is baat ka guman nahi tha ki tumko dhoondhne ke liye main apni Chhutti se wapas aa jaunga.

Jo bhi ho ye to Rawat Sir hi jane lekin Tino mobile ki location ek sath dekhkar main Jawed aur Mohit ko sath lekar Us jagah ke liye nikal gaya jaha par Rawat Sir ke mobile ki location dikha rahi thi. Mere pichhe pichhe Abhishek bhi us jagah par aaya tha aur chhip gaya tha. Iske baad kya huwa wo tum achhe se janti ho. [/color]

[color=rgb(65,]*********[/color]

[color=rgb(51,]Sarita bade dhyan se Nishchal ki baate sun rahi thi. Is bich usne ek bar bhi nishchal ko nahi toka tha. Nishchal ki baat khatam hone ke baad Sarita ne kaha.

Sarita-Agar main waha bhi nahi milti to.

Sarita ki baat sunkar Nishchal tadap utha aur usne kaha.

Nishchal- Kyon nahi milti tum. Main aapni jaan par khel jata, lekin tumhe kuchh bhi nahi hone deta. Main tumhe kuchh bhi karke dhoondh nikalta. Tum itni aasani se mujhse door nahi ja sakti ho. Tum jana bhi chaho tab bhi main tumhe apne se door nahi jane doonga. Tumhe mujhse koi alag nahi kar sakta koi bhi nahi.

Sarita Nishchal ki taraf hi dekh rahi thi aur uski baat samajhne ki koshish kar rahi thi. Nishchal ne ye baat bol to di, lekin jab use is baat ka ehsaas huwa ki wo bato bato mein kya bol gaya hai to wo Sarita se najarein churane laga.

Sarita ke phone par pichhle kuchh samay se aa rahe massages ab band ho chuke the. Sarita ne man hi man kaha.

Sarita- Lagta hai bahar hi so gayi hai nahi to ab tak bawal macha deti massage kar kar ke.

Nishchal ke us baat ko kahne ke baad kamre mein pine drop jaisa sannata chha gaya tha. Na hi Sarita kuchh bol rahi thi aur Nishchal wo baat kahne ke baad bolne ki halat mein nahi tha. thodi der ki khamoshi ke baad Sarita ne Nishchal se kaha.

Sarita- Main aapko kaisi lagti hoon??

Sarita ki baat sunkar Nishchal uski taraf dekhne laga. Use kuchh samajh mein nahi aaya ki Sarita kya puchh rahi hai. Nishchal ko khamosh dekh kar Sarita ne kaha.

Sarita- Bataiye na. main aapko kaisi lagti hoon??

Nishchal- Achhi lagti ho.

Sarita- Bas Achhi lagti hoon.

Nishchal. Nahi. Bahut achhi lagti ho.

Sarita- Bas bahut achhi lagti hoon.

Nishchal ko samajh mein nahi aa raha tha ki Sarita poochhna kya chahti hai. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Nahi. Bahub bahut Achhi lagti ho.

Sarita- Bas bahut bahut achhi lagti hoon.

Nishchal- Nahi. Bahut bahut bahut jyada achhi lagti ho.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar muskurate huwe kaha.

Sarita- Bas bahut bahut bahut jyada achhi lagti hoon.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ke sabar ka bandh toot gaya aur wo bola.

Nishchal- Tum kahna kya chahti ho saf saf kaho.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne ek pal ke liye socha fir wo bister se uthi aur chalkar Nishchal ke pas aayi jo kursi par baitha huwa tha. Sarita nishchal ke samne aakar khadi ho gayi to Nishchal apni kursi se khada ho gaya.

Sarita ne Nishchal ki aankho mein aakhein dalkar dekhte huwe kaha.

Sarita- Main ye kahna chahti hoon ki mujhe aapse... Mujhe aapsee.... Mujhe aapse....

Iske aage ke shabd sarita ke munh se bahar nahin nikal rahe the. Ye dekhkar Nishchal ne kahaa.

Nishchal- haan sarita. Aage bolo tumhein mujhse kyaa...

Nishchal ki baat sunkar sarita ne apne dil ko majboot kiya aur apni aankhein band kar li aur bolna shuru kiya.

Main ye kahna chahti hoon ki mujhe aapse... Mujhe aapsee.... Mujhe aapse.... pyyaa... pyaar ho gaya hai.

Nishchal ko to Sarita ki baat sunkar apne kano par yakeen hi nahi ho raha tha. usne apne dono kano mein ungli dalkar hilaya aur Sarita se kaha.

Nishchal- Kya kaha tumne. Jara fir se kahna.

Sarita- (aankhein kholkar bina samay gawaye) Mujhe aapse pyaar ho gaya hai. I Love You. Can I hug you once??

Nishchal- Kyaaa??

Nishchal ye sunkar Khushi se jhoom utha aur apni bahein faila di.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 101[/color]

[color=rgb(51,]Sarita dwara pyaar ka izhar kiye jane par Nishchal Khushi se phoola nahi sama raha tha. Uska itne din ka intezar aaj khatam ho gaya tha. Usne Khushi se jhoomte huwe apni bahein faila di to Sarita Uske sine se lag gayi.

dono ke liye ye ehsas bahut sukhad tha. Dono ko is samay yahi lag raha tha ki ye wakt yahi tham jaye aur dono aise hi gale lage huwe sari zindagi gujaar dein. Dono ki dhadkane bahut tezi se chal rahi thi. Sarita ke gaal sharam aur Khushi se lal ho gaye the. Kuchh der dono aise hi shant ek doosre ke gale lage huwe khade rahe.

Thodi der baad Sarita ne is shanti ko bhang karte huwe kaha.

Sarita- Ab mujhe samajh mein aaya ki main aapke samne aisa bartav kyon kar rahi thi.

Nishchal- hhmmmmm. Par ye to batao ki tumhe is baat ka ehsas kab huwa.

Sarita- Di ki shadi ke samay.

Nishchal- Achha ji. To tumhara 15-20 din mein hi ye haal ho gaya hai to mera socho. Maine to jis din tumhe pahli baar dekha tha usi din se tumpar mar mita hoon. Socho. Itne dino mein meri kya halat hui hogi.

Nishchal ki baat Sunkar Sarita usase alag hui aur use dekhne lagi. Nishchal ne usase kaha.

Nishchal- Ab aise kyon ghoor rahi ho.

Sarita- Main ghoor nahi rahi hoon. But Seriously Pahli baar milne par hi??

Nishchal- Aur nahi to kya. Tumhe lag raha hai main Mazak kar raha hoon.

Sarita- Nahi Mazak nahi lag raha hai, lekin aapko dekhkar kabhi laga hi nahi ki aap mujhse pyaar karte hain. Aapne pahle kyon kuchh kaha kyon nahi??

Nishchal ne Sarita ki nakal karte huwe kaha.

Nishchal- Aapne pahle kuchh kaha kyon nahi??

Nishchal ki baat sunkar Sarita chidh gayi aur munh fulakar doosri taraf dekhne lagi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Us din gadi mein maine wo sab tumse hi kaha tha, lekin tum to itna hiper ho gayi thi ki mujhe apni baat hi badalni padi. Agar us din maine kano mein bluetooth nahi lagaya hota to tum mera gaal lal kar chuki hoti. Itna hi nahi. Tumne us baat ko lekar ye andaza laga liya ki main charu se pyaar karta hoon. Had hai yaar.

Sarita- Kyao na lagaun andaza. Wo hamesha apke aas paas mandara rahi thi.

Nishchal- Achha. Ye to naya tarika khoj nikala hai tumne ki jo insan kisi ke aas-paas mandara raha ho wo usase pyaar karta hai. aise to tum mere aur Jawed ke bare mein, Jawed aur Mohit ke bare mein aur Mera aur mohit ke bare mein bhi sochti hogi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ko hansi aa gayi aur wo hanste huwe boli.

Sarita- Nahi main aisa kuchh nahi sochti aap logo ke bare mein. Main to bas..

Nishchal ne uski aankho mein dekhte huwe kaha.

Nishchal- Kya bas.

Sarita ko ab kuchh bolte hi nahi ban raha tha to Wo waha se jane lagi to Nishchal ne uska hath pakadkar apni taraf kheech liya. Sarita Nishchal ke sine se lag gayi. Nishchal ne Sarita ki aankho mein dekhte huwe uske chehre par aayi hui lato ko uske kan ke pichhe karte huwe kaha.

Nishchal- Tumne to kah diya jo kahna tha. Ab mera bhi jawab to sun lo.

Itna kahkar Nishchal apna munh Sarita ke kan ke paas le gaya. Sarita ki dhadkane is samay bekaboo ho rahi thi. shayad yahi hal nishchal ka bhi tha. Nishchal ne uske kaan mein dhire se kaha.

Nishchal- I Love You too. Mujjhe tumse pyaar tha. tumse pyaar hai aur hamesha tumse hi pyaar rahega.

Ye sunkar Sarita ne apni aankhe band kar li thi. is samay Sarita ekdam madhosh ho chuki thi. Nishchal ki sans use apni gardan par mahsoos ho rahi thi. Sarita ke sharir mein ek ajeeb si halchal ho rahi thi.

Nishchal apni baat kahkar pichhe hat gaya. To Sarita ne apni band aankhein kholkar Nishchal ko dekha to wo samne khada mand mand muskura raha tha.

Ye dekhkar Sarita ne sharam ke mare apna chehra doosri taraf ghuma liya. Nishchal ko bhi ye samajh mein aa raha tha ki dono filhal is mamle mein jyada baat nahi kar payenge to Nishchal ne kaha.

Nishchal- I think ki ab hamari batein poori ho chuki hain to main jaun.

Sarita- Lagta hai Manisha so gayi hai to fir darwaza kaun kholega??

Sarita ne ye baat Nishchal ki taraf dekhte huwe kaha to Nishchal ne shararat bhare lahze mein kaha.

Nishchal- To directaly tum ye kyon nahi kahti ki main aaj raat yahi par ruk jaun. Chhote miya ka bahana kyon bana rahi ho??

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar apni aankhe badi karte huwe kaha.

Sarita- Hey bhagwaan. Maine aisa to nahi kaha na. main aisa kuchh soch bhi nahi rahi hoon. Agar aapko bharosha na ho to use phone karke dekh lijiye. Wo uthegi hi nahi kyonki wo raat mein aksar apna phone silent mein rakhti hai.

Nishchal- Pata hain mujhe. Main to bas aise hi tumhe chhedne ke liye bol raha tha. Ab kya karein ham??

Sarita- Aapko sona hai.

Nishchal- haan.

Sarita- To aisa kariye aap bister par so jaiye main jameen par bistar lagakar so jaungi.

Nishchal- Are nahi aise kaise. Tum bistar par so jao main jameen par so jaunga.

Sarita- Nahi na. waise bhi mujhe neend aa nahi rahi hai to aap so jaiye.

Nishchal- Chalo koi baat nahi fir ham dono baith kar batein karte hain.

Itna kahkar Nishchal bed se tek lagakar jameen par baith gaya to Sarita ne kaha.

Sarita- Abhi to aap kah rahe the ki aapko neend aa rahi hai.

Nishchal- Kuchh samay pahle aa rahi thi, lekin ab nahi aa rahi hai aur plz ab is baat ko lekar tum mujhse jhagda mat karne lag jana.

Sarita- (ghoorte huwe) Aap kahna kya chahte hain ki jhagda main start karti hoon.

Nishchal- Aur nahi to kya. Dekho tum jhagda karne ke mood mein aa gayi ho..

Sarita- Thik hai ab main kuchh nahi bolungi. Aap khud hi boliye, khud hi suniye aur jab thak jaiye to chupchap so jaiyega.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ne Sarita ki naak pakadte huwe kaha.

Nishchal- Ye tumhari naak hai na. jab gusse mein ekdam lal ho jati hai to tum bahut khoobsurat lagti ho aur wo khoobsurti mere dil ka haal behaal kar deti hai.

Nischal ki baat sunkar Sarita ne hanste huwe kaha.

Sarita- Aap kaam hi aisa karte hain ki mujhe gussa aa jata hai.

Nishchal- Achha ye sab chhodo. Chhote miya bata rahi thi ki tumhara kuchh aim hai jiske karan tum Pyaar se door bhagti thi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita bhi bed ke doosre kinare par jameen par baith gayi aur boli.

Sarita- aim. Haan mera aim to IAS ban-na hai. Kisi ki baat ne mere dilo dimag par itna gahra asar dala hai ki maine usi samay apna lakshya nirdharit kar liya ki mujhe aage kya karna hai Tabhi maine soch liya tha ki jab tak mera ye lakshya poora nahi ho jata tab tak main in pyaar mohabbat ke chakkaro mein nahi padungi.

Pahle apne dam par apni pahchan bana loon. Fir koi nai jimmedari ke bare mein sochungi, lekin wo kahte hain na ki hamesha jo aap chahte hain wo nahi hota. Mujhe aapse pyaar hona tha aur wo ho gaya.

Nishchal- Ab ye to bahut Achhi baat hai. tumhara aim bahut hi achha hai. (fir Mazak mein) Lekin mujhe lagta hai ki jab tak tumhara aim poora nahi ho jata tab tak tum shadi bhi nahi karogi. Iska matlab hai ki tumhare last attempt tak mujhe most eligible Bachler banker rahna padega.

Sarita- Mera First attempt hi last attempt hoga.

Nishchal- (Hanste huwe) Matlab ye ki mujhe tab tak aise majanuwo ki tarah jindagi gujarni padegi.

Sarita- Hatiye aap. Mera Mazak uda rahe hain aap to. Waise aapka kya aim hai.

Nishchal- Tumhare sapne ko udan dena.

Nishchal ki baat sunkar Sarita use dekhne lagi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Jyada to kuchh nahi lekin main tumhare har kadam par tumhara sath doonga. Tumhare har achhe bure wakt par tumhare sath rahunga. Tumhare har Us faisale ka main samman karunga jo hamare hit mein ho.

main tumhare liye chand tare tod kar lane ka jhootha wada nahi karunga, lekin itna jaroor kahunga ki jeewan ke kisi bhi mod par jab bhi tumhe meri jaroorat hogi tum mujhe apne sath khada paogi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita Aakar uske bagal mein baith gayi. fir dono aise hi bate karte huwe so gaye.

Subah Jab Manisha ne uthkar darwaza khola to usne dekha ki Sarita aur Nishchal jameen par baithe baithe hi so gaye hain. Sarita ka Sir Nishchal ke kandhe par tha aur Sarita ke sir par Nishchal ne apna Sir tikaya tha.

Ye dekhkar Manisha ke chehre par ek pyaari si muskan tair gayi. Usne Wakt jaya na karte huwe Es khoobsurat najare ko apne phone mein kaid kar liya.

Dono ki selfi lene ke baad Sarita kamre ke andar aayi aur jor se boli.

Sarita- Good Mornigh Guys..

Manisha ki aawaz sunkar dono hadbada kar uthkar baith gaye. Jab dono ne samne dekha to Manisha khadi muskura rahi thi. Dono ye dekh kar jhenp gaye. Nishchal turant uthkar khada ho gaya aur Sarita ne apni najre niche jhuka li.

Nishchal ne hadbadate huwe Manisha se kaha.

Nishchal- Sorry. Main duty ke liye late ho gaya hoon to main jata hoon.

Itna kahkar Nishchal waha se Sarpat bhaga. Sarita bhi bahana banakar Waha se bhaag khadi hui aur bathroom mein ghus gayi. Manisha dono ki halat dekhkar muskurane lagi.

Sarita Bathroom se nikal kar Nashta karke jab taiyar hokar PS jane ke liye nikli to Manisha use hi ghoor rahi thi. Sarita ne Manisha se kaha.

Sarita- Kya hai?? Aaise kyo ghoor rahi ho mujhe??

Manisha- Aaj kaun si cream lagayi hai didiya. Aaj to tumhara chehra bahut glow kar raha hai.

Itna sunte hi Sarita ne uske kaan pakadkar marodte huwe kaha.

Sarita- Achha beta Tumhe kuchh jyada hi chamak dikh rahi hai. Abhi tumhari raat wali harkat ko main bhuli nahi hoon. Uski bhi saza milegi tumhe.

Manisha ne Sarita ki baat sunkar azeebogarib munh banate huwe kaha.

Manisha- hey bhagwaan. Ab to bhalayi ka jamana hi nahi raha. Jiska bhala kiya maine wahi mujhe saza dene ki baat kar raha hai. Kuchh karo bhagwaan kuchh karo.

Sarita- (hanste huwe) Tumne jo harkat ki wo main bhuli nahi hoon. Bhagwan bhi sab dekh rahe hain. ki kisne kya kiya hai.

Manisha- Tum chaho tab bhi nahi bhool sakti kal raat wali baat. Aap dono ka wo prisious movement jo tha wo.

Sarita- (ghooorte huwe) Tum din-ba-din badtamiz hoti ja rahi ho.

Manisha- Achha thik hai Ab Apne PS jao. Mujhe bakhsh do.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne apni kalayi mein lagi ghadi mein dekha aur boli.

Sarita- Ohhhhhhhoooooo. Tere karan itna late ho gaya. Main jati hoon.

Sarita apne PS ke liye nikal gayi aur Manisha use jate huwe dekhkar muskurane lagi. Isi tarah din gujarte rahe. Sarita aur Nishchal ko apne pyaar ka izhar kiye huwe 4 din bit chuke the. Par us din ke baad dono ke bich jyada baatchit nahi hui thi. dono ek doosre ke samne aane par jhijhak mahsoos karte the. Ye sab Manisha note kar rahi thi.

Ek sham Sarita PS se jaldi aa gayi. to Manisha ne Sarita se kaha.

Manisha- Didiya main soch RAHI HOON ki kyon na aaj ham log bahar khana khane chalein. Main boss ko bhi bula leti hoon.

Manisha ki baat par Sarita ne kuchh nahi kaha bas muskura kar rah gayi to Manisha ne kaha.

Manisha- Matlab main boss ko bula loon.

Manisha ne turant Nishchal ko phone kiya aur poori baat batai aur thoda jaldi aane ke liye bola. Thodi der mein Nishchal bhi aa gaya. Jis Restorant mein khane ka plan bana tha wo unke ghar se lagbhag 1 kilometer ki doori par tha. thodi hi der mein wo sab restorant mein baithe huwe the. Dono ko ekant dene ke liye Manisha ne kaha.

Manisha- Mujhe ek phone karna hai aap log baithiye main aati hoon.

Manisha yah kahkar chali gayi. Sarita aur Nishchal dono chupchap baithe huwe the. Kuchh der baad Sarita ne apna sir uthakar dekha to Nishchal use hi dekh raha tha. ye dekhkar Sarita jhenp gayi aur apni najarein fir se niche kar li. Nishchal ye dekhkar Muskura utha. Thodi der baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- To kya socha hai tumne??

Sarita- (apni najare uthakar) Kis bare mein.

Nishchal- Abhi [/color][color=rgb(61,]kiss[/color][color=rgb(51,]ke bare mein to baat kar nahi raha hoon.

Sarita- (aankh dikhate huwe) jyada hoshiyar ban-ne ki koshish mat kijiyega mere samne.

Nishchal- (kaan pakadte huwe) Sorry.. main preparation ke bare mein pooch raha tha. uska kya socha hai.

Sarita- Sorry mat boliye aap. Main soch rahi hoon ki naukari chhod doon. Kyonki ye naukari karte huwe preparation karna bahut hi kathin hai.

Nishchal- Okkkk. Agar tumhe lagta hai ki tum Naukri karte huwe dhang se preparation nahi kar paogi to tum aisa hi karo, lekin aisa karne se pahle ekk baar Uncle aur Aunty se baat jaroor kar lena.

Sarita- Mummy ko to koi pareshani nahi hogi mere naukari chhodne se. but papa ko manana padega is baat ke liye. Sath mein mummy papa ko aage ke preparation ke liye bhi manana padega, papa ko to koi dikkat nahi hogi isase, lekin mummy jaroor mujhe ye sab karne nahi dengi.

Nishchal- Tum koshish to karo. Agar meri jaroorat padi to main khud Aunty se baat karunga iske bare mein.

Sarita- Thik hai main baat karti hoon mummy papa se. Main ise hi apna final attempt samajhkar padhna chahti hoon isliye aisi taiyari ye naukari karte huwe sambhav nahi hai.

Nishchal- Kyaa baat hai. Tumhe itni jaldi hai apni shadi ki.

Sarita- (shararat karte huwe) Aur nahi to kya. Kya pata main apna aim achive karne mein lagi rahi aur fir se aap kisi charu ke chakkar mein pad jao. Is baar main ye risk nahi lena chahti.

Nishchal- (Muskurate huwe) Thikk hai fir. Apne ghar mein baat karo aur apne mind ko relax karo. Uske baad preparation shuru kar do. Kuchh hi din mein Notification aane wala hai.

Sarita- Haan. Achhi padhai ke liye refrecement bhi jaroori hai.

Nishchal- Notes ki chinta tum mat karna. Notes tumhe main provide kar dunga aur ek baat hamesha yaad rakhana ki main har kadam par tumhare sath hi rahunga.

Tab Tak Manisha bhi aa chuki thi. Order inhone pahle hi de diya tha to khana bhi tab tak aa chuka tha. Nishchal to bahar khata nahi tha, lekin aaj Sarita ke liye usne thoda bahut khana khaya aur payment karke ghar ke liye nikal gaye. Ye log paidal hi the to tino sath hi bate karte huwe ja rahe the.

Chalte huwe Nishchal ne Sarita ka hath pakad liya aur aage dekhte huwe chalne laga. Sarita ne jab Nishchal ki taraf dekha to use aage dekhte huwe paya to man mein hi kaha.

Sarita- Dekho to. Aise behave kar rahe hain jaise inhe pata hi na ho ki inhone mere hath pakda hai.

Sarita apna hath chhudane ki koshish karne lagi to Nishchal ne uska hath kaskar pakad liya. Manisha kankhiyo se ye sab dekh rahi thi wo apni colony ke najdeek hi pahuch chuke the to Manisha ne kaha.

Manisha- Main jati hoon aap log aaiye.

Ye kahkar Manisha age chali gayi to Sarita ne Nishchal se kaha.

Sarita- Ye kya kar rahe hain aap??

Nishchal- (anjan bante huwe) Kya kar raha hoon??

Sarita- hath chhodiye mera. Koi dekh lega.

Nishchal- ye haan chhodne ke liye thode hi pakda hai. Ab to Sari Zindagi tumhara hath pakadkar chalna hai. I Love You.

Ye sunkar Sarita ka chehra sharam se laal ho gaya tha. Nishchal ne apna mobile nikala aur photo kheechne laga to Sarita ne kaha.

Sarita- ab ye kya kar rahe hain aap.

Nishchal- tumhara ye roop har samay dekhne ko nahi milta hai. Har samay to tum naak par gussa liye lady don bani mujhe hadkati rahti ho. Isliye is roop ki phone click kar raha hoon.

Sarita- (hans kar) Kaun sa roop??

Nishchal- Sharam se laal huwe tumhare gaal aur ye jhuki hui najarein.

Sarita- Hmmmm. Agar ab ho gaya ho to kripa karke mera hath chchod dein. PG aa gaya hai.

Nishchal ne Sarita ka hath chood diya to Sarita ne kaha.
Sarita- Ab aap jaiye.

Nishchal- Haammmm. Pahle tum jao.

Sarita jane lagi. kuchh door jane ke baad wo pichhe mudkar uski taraf dekhne lagi. Nishchal ne ishare se poocha ki kya hai to Sarita ne kaha.

Sarita- I Love You too.

Itna kahkar Sarita jhat se andar bhaag gayi. Nishchal Uski ye harkat dekhkar muskurane laga.

Usi raat Sarita ne apne Mummy papa se job chhodne ki baat ki aur iska karan bhi bataya. Aanand ji ko to koi pareshani nahi hui lekin Raani ji ka kahna tha ki use job karne ki jaroorat nahi hai ab koi achha ladka dekhkar uski shadi karni hai unhe, lekin Sarita ki zid aur Anand aur Manisha ke samjhane ke baad Raani ji aakhir maan hi gayi.

Sarita ke Resignation ki baat jab uske staff ko pata chali to Mohit, Jawed, Ranjana, Janhavi, Vikas, Kaushal ko bahut dukh huwa. Sath mein unhe is baat ki Khushi hui ki Sarita Apne Aim ke liye job chhod rahi hai. Saabhi ne use best wishes di.

Udhar Nishchal ne Savi se Apne aur Sarita ke rishte ke bare mein bata diya. Savita bahut khush hui aur usne Sarita se baat ki aur use is naye rishte ke liye badhayi di.
Sarita Aur Manisha Abhishek se milne ke liye jail mein gaye.

Manisha ne Abhishek ko Sarita aur Nishchal ke bare mein bataya to Use bhi bahut Khushi hui, Kahi na kahi use bhi pata tha ki Nishchal hi Sarita ke liye best choice hai.

Sarita ne Resign de diya tha aur Nishchal se kuchh promiss karke Allahabaad aa gayi.[/color]

[color=rgb(65,]Lagbhag 9 Mahine baad..[/color]

[color=rgb(51,]Abhishek ki saza poori ho gayi thi use lene ke liye Sarita, Manisha, Raani ji Aur Aanand ji khud gaye the. SAbhi bahut khush the ki unka bhaai aur unka beta Kai Baras baad ghar aa raha hai. Abhishek ne bhi bahut Salo baad khuli hawa mein sans li thi. Use bhi bahut Khushi hui sabse mil kar. Abhishek sabhi ke sathi Allahabad wapas aa gaya.

Udhar Amit ko Nishchal ne apne Sath rakha huwa tha. lekin uski naukari abhi bhi use wapas nahi mili thi. Amit ne jo baat Nishchal se kahi thi. Uske anusar wo sachmuch bahut badal gaya tha. wo poori imaandari aur lagan se kaam kar raha tha. Yahi sab dekhte huwe Nishchal ne SSP se baat karke use naukari par bahal kar diya tha.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 102[/color]

[color=rgb(51,]naukari chhodne ke baad sarita ne apne aapko padhaai mein jhonk diyaa. Usne apne aapko puri tarah se sabhi se kaat liya tha. Wo pahli baar se kahin jyada mehnat kar rahi thi. Ab tak abhishek bhi jail se chhutkar ghar aa chukaa thaa.

samay bitne ke sath hi sarita ki prelims, main aur interview ho gaya tha jo achha gaya tha.
[/color]

[color=rgb(65,]Lagbhag 11 Mahine baad[/color]

[color=rgb(51,]Sarita apne ghar mein laptop par apni najarein gadaye baithi thi. Aaj Uskka Civil Services ke exam ka result aane wala tha. Uska man andar hi andar ghabra raha tha. Wo Manisha se iske bare mein kai baar baat kar chuki thi. lekin Sarita ki bechaini badhti ja rahi thi.

Tabhi uske mobile ki screen par ek naam show huwa. Jo Nishchal ka tha. Usne phone uthaya to nishchal ne kaha.

Nishchal- ghabrao mat, Mujhe poora wishwash hai ki hamara sapna jaroor poora hoga.

Sarita- Aur agar nahi huwa to please mujhe maaf kar dena.

Nishchal- Fir se tumhara rona shuru ho gaya. Is baar nahi huwa to agli baar fir se try karna. Agli baar nahi huwa to uske Agli baar fir try karna aur vishwas karo Tumhare aim ke liye main bhi apni naukari chhod dunga.

Sarita- Haan fir to dono road par baithkar katora lekar bheekh mangenge. Hai na??

Nishchal- (hanste huwe) Sahi kaha. Isase better to koi job ho hi nahi sakti. IAS ki salary se jyada kamai hogi mahine mein. Sath mein tumhare sath kaam karne mein maza bhi bahut aayega.

Sarita uski baat sunkar hans di to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab thik hai. tum aise hi hamesha hansti muskurati hui hi achhi lagti ho.

Sarita- Aap aa rahe hain na mujhse milne ke liye.

Nishchal- Abhi clear nahi bata sakta.

Sarita- (gusse mein) 1.5 sal se jyada ho chuka hai aapse mile huwe. apka to kuchh bhi clear nahi rahta.

Nishchal- Promiss yaad hai ya bhool gayi.

Sarita- Hmmmm. Yaad hai tabhi to kuchh bolti nahi hoon aapse.

Nishchal- Achha Ab khush ho jao.

Sarita- Wo kisliye??

Nishchal- Kyon ki main aa raha hoon tumse milne. Result chahe jo bhi ho exam ka tum udas mat hona.

Sarita- (khush hokar) Kyaa?? Sach mein aap aa rahe hain mujhse milne.

Nishchal- haan meri jaan main aa raha hoon.. mujhe lagta hai ki ab tum thik ho to main phone rakh raha hoon.

Sarita- Hmmm. Main intezaar kar rahi hoon aapka.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya aur kisi soch mein gum ho gayi.

Sarita- (man mein) Agar aaj ye exam clear na huwa to main Sir ko kya munh dikhaungi. Mujhse jyada to unhone iske liye tapasya ki hai. Subah jagne se lekar der raat tak wah mere sath hi rahe hain. Notes banane se lekar interview ki taiyar karwane mein wo hamesha mere sath hi rahe hain.

Agar kisi topic par ulajhkar main pareshan ho jati thi to wo kitni aasani se us topic ko solve karke mujhe samjhate the. Mujhse jyada to unhone mehnat ki hai is exam ki. Hey bhagwan Sir ki mehnat ko bekar mat hone dena. Is bich wo mere guru. Mere margdarshak aur ek achhe aur sachhe dost ke roop mein the.

Wo to bhala ho phone aur video calling ka. Jiski wajah se main kam se kam unka chehra to dekh pa rahi thi. nahi to unhone promiss karke mujhe fansa hi diya tha. Pichhle 3 Mahine se unka transfer Pratapgadh (Allahabad ke bagal wala zila) mein huwa hai. chahe to wo mujhse aakar mil sakte hain 40 kilomiter door hi to rahte hain.

Lekin nahi apne aage to kisi ki sun-ni hi nahi hai. kahte hain ki agar main unse mil lungi to fir kai din to unke bare mein hi sochungi. Fir meri padhai disturb hogi. Isase achha jab exam clear kar lena to fir main poora ka poora tumhara.

Had hai yaar aisa bhi koi karta hai kya?? Preperation se pahle hi ye wada le liya tha ki jab tak result nahi aa jata tab tak ham log nahi milenge. Warna isase meri padhai mein effect padega. Aaj agar maine ye exam clear kar liya to ham dono ki mehnat safal ho jayegi.

Sarita yahi sab soch rahi thi ki tabhi Manisha aur Abhishek uske paas aaye. Manisha ne use jhakjhorte huwe kaha.

Manisha- DidiYA kis soch mein gum ho. boss ka phone aaya tha. Result aa gaya hai. jaldi se check karo..

Sarita ne Manisha ko dekha aur ghabrate huwe kaha.

Sarita- Nahi. Mujhse ye nahi hoga. Mujhe bahut dar lag raha hai tum hi check karo na.

Manisha- Hato main karti hoon.

Manisha result check karne lagi. Tabhi Sarita ka phone bajne laga. Lekin Sarita itni ghabrayi hui thi ki usne call nahi uthaya. Sarita ka phone band hone ke baad Manisha ka phone bajne laga. Manisha ne phone uthana chaha to Sarita ne kaha.

Sarita- phone baad mein utha lena. Pahle result check karo.

Manisha- Check to kar rahi hoon didiya, lekin sarver hi jam hai.

Abhi Manisha ne itna hi kaha tha ki Raani ji kamre aayi aur kaha.

Raani ji- Dekho. Savita bitiya ka phone aa raha hai. Result aa gaya kya??[/color]


[color=rgb(51,]Manisha- Hmmmm[/color].

[color=rgb(51,]Manisha result dekh rahi thi. screen par dekhne ke baad Manisha ne Sarita ki taraf dekhte huwe kaha.

Manisha- Didiya is baar tumhara...

Manisha ne ye shabdd udase swar mein kahe the jise sunkar Sarita ko laga ki uska selection nahi huwa hai to uski aankho mein aanshu aa gaye. Ye dekhkar Manisha ne kaha.

Manisha- Are pagal tum ro kyon rahi ho?? Tumhari all India mein 22nd rank aayi hai.

Sarita- (jor se chillate huwe) Sachhi.

Manisha ne use gale lagate huwe kaha.[/color]


[color=rgb(51,]Manisha- Muchhiiii[/color].

[color=rgb(51,]Raani ji ne Khushi se Sarita ka matha chum liya. Aanand ji ne bhi Sarita ko gale lag aliya. Sarita khushi se jhoomte huwe Abhishek ke gale lag gayi aur boli.[/color]
[color=rgb(51,]Sarita- Main paas ho gayi bhaiya. maine jo chaha tha wo kar dikhaya.

Abhishek- Haan. Sarita . Main bahut khush hoon tumhare liye. Mujhe pahle se hi pataa tha ki tum jarur apne goal ko pa logi.[/color]


[color=rgb(51,]Sarita ke paas hone ki khabar poore mohalle mein jangal mein aag ki tarah fail gayi. Sarita ko badhayi dene walon ka jamwada lag gaya. Rishtedaro ke bhi lagatar phone aa rahe the. Sabhi Sarita aur uske gharwalo ko badhayi de rahe the.

News channel wale bhi interview lene ke liye aa gaye. Is bich Sarita poori tarah busy thi. use bilkul bhi samay nahi mil raha tha ki wo Nishchal se baat kar paye. Wah sabke bich mein ghiri hui thi. use tanik bhi achha nahi lag raha tha ki wO yahan par aur baithe, uska man Nishchal mein hi laga huwa tha.

Sarita ne pahle hi prayash mein IAS ki pariksha paas ki thi to uski charcha hona lajimi bhi thi. Aaj poore mohalle mein sabki juban par Sarita ka aur uske mummy papa ka hi naam tha. Apni bahan ki kamyabi se Abhishek bhi bahut khush tha.

Jab Sarita thoda free hui to kamre ki taraf jane lagi. Lekin Tabhi Raani ji use lekar Paas wale mandir mein chali gayi. uske naam se pooja ki aur thodi dan dakshina kar aayi. Sham hote hote Sarita bilkul thak chuki thi. Mandir se lautkar aane ke baad Sarita ne Manisha se kaha.

Sarita- Ab ek ghante tak mujhe koi bhi disturb na kar paye. Is baat ka dhyan rakhna.

Manisha- Thik hai didiya. Tum jao aur aaram kar lo thoda.

Wah apne kamre mein gayi to uski najar table mein rakhe phone par gayi. Usne apna phone dekha to usmein 75 miss call pade huwe the.

Sarita ne call check ki to usme Jawed, Mohit, Ranjana, Janhavi, Vikas, Amit aur Kaushal ke bahut sare miss calls the. Sath mein kuchh rishtedaro ke bhi phone the. Unhi mein 3 Miss call nishchal ki bhi thi.

Sarita ne turant Nishchal ko phone kiya to Nishhal ne phone nahi uthaya. Sarita ne apne man mein socha.

Sarita- Haan mujhe pata hai ki aap mujhse gussa hain, warna aap ek baar mein hi meri call utha lete, par main kya karun. Abhi to jakar sabse fursat mili hai.

Sarita ne Sorry ka massage likhkar use bhej diya. uske baad Sarita ne bari bari apne purane collegue se baat ki. Sabhi Sarita ki is achievement se bahut khush the. Sabhi ne Sarita ko badhayi di.

Sabse baat karne ke baad Sarita aaram karne lagi. Lagbhag 1 ghante baad Sarita ko Manisha ne uthaya aur kaha.

Manisha- Didiya chat par jao.

Manisha ne Sarita ki baat sunkar deewar par lagi ghadi ki taraf dekha aur kaha.

Sarita- Are abhi kyon jaun. Abhi to raat ke 8.30 hi baje hain.

Manisha- Haan pata hai mujhe. Ab jyada amma mat bano meri aur chaat par jao.

Manisha ke kahne par jab Sarita chaat par gayi to use waha par kisi ki parchhayi dikhi. Jise dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- kaun hai waha par??

Sarita ki baat sunkar jab wo parchhayi uski taraf ghumi to chand ki halki halki Roshni mein use Nishchal ka chehra najar aaya to wo daukar Nishchal ke sine se lag gayi. dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Nishchal ko Sarita ke sisakne ki aawaz sunayi padi. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Kya huwa tumhe. Tum ro kyon rahi ho.

Sarita- I Am sorry. Main aapki call nahi uthaa payi. Aap mujhse gussa to nahi hain na.

Nishchal ne uske sir par hanth ferte huwe kaha.

Nishchal- Tumne aisa soch bhi kaise liya ki main apni lady don se kabhi gussa sakta hoon.

Itna kahkar Nishchal ne use apne se alag kiya aur uska chehra apne dono hatho mein liya aur uske mathe ko chum liya. Sarita sihar gayi.

Sarita ko ummeed nahi thi ki Nishchal usase aise milenga. Nishchal ne Sarita ka hath pakda aur use chat ke ek kinare par le gaya aur bagal mein ek swich onn kar diya.

JIisase waha par rang birangi dher sari lights jal gayi thi. Wahi par ek chhote se table par bahut hi pyara sa chhota sa cack rakha tha. Sarita uski taraf dekhne lagi to usne kaha.

Nishchal- Chalo tumhari khushi selebrate karte hain.

Sarita- (Khushi se) Ye Sab aapne kiya.

Nishchal- Nahi. Ye sab chhote miya aur tumhare bhaai ka kamal hai. unka kahna tha ki jab itne din baad ham dono mil rahe hain to kuchh special hona chahiye.

Sarita- (muskurate huwe) Aap sab na bilkul pagal hain.

Nishchal- hhhhmmmm. Aur tum ham sab paglon ki jaan.

Sarita Nishchal ki baat sunkar uske sine se lag gayi. Kuchh der baad Nishchal ne uska hath pakadkar use apne se alag kiya aur use table ke paas le aaya aur bola.

Nishchal- Chalo ab cack kato.

Sarita- cack main nahi aap kitenge, kyonki meri safalta ke pichhe aapka hath hai. mujhse jyada mehnat to aapne ki hain mujhe exam clear karwane ke liye. Ye sab aapke karan hi possible huwa hai.

Nishchal- Main to bas ek jariya tha Sarita mehnat to tumhari apni thi.. Acchha Ab jaldi se cack cut karo. Tumhare liye mere paas bahut bada surprise hain.

Sarita- Kya surprise hai.

Nishchal- Wo to cack katne ke baad hi pata chalega.

Sarita- Chaliye sath mein cack kat-te hain.

Nishchal aur Sarita ne sath mein cack kata. Fir dono ne ek doosre ko cack khilaya. Fir dono wahi chat ki deewar se take lagakar baith gaye. Un dono ke bich bas aasman mein chamakta chand tha aur dono ke bich khamoshi thi. dono ek doosre ki aankho mein khoye huwe the.

Sarita ne is khamoshi ko todte huwe kaha.

Sarita- Kya surprise tha ab bataiye??

Nishchal- Pahle apni aankhe band karo.

Sarita- Par aankhein kyon.

Nishchal- Tum sawal bahut karti ho. apni aankhein to band karo.

Sarita ne apni aankhein band kar li. Nishchal ne apna mobile nikala, mobile mein kuchh kiya aur Sarita se kaha.

Nishchal- Ab apni aankhein kholo.

Sarita ne apni aankhein kholi to uske samne mobile ki screen par kuchh dikh raha tha. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab ise padho.

Sarita ne jab use padha to uski Khushi ka thikana nahi raha. Wo Khushi ke mare jor se cheekhne wali thi par Nishchal ne turant uske munh par apna hath rakh diya aur kaha.

Nishchal- Are maine chillane ke liye thode hi kaha tha. padhne ke liye kaha tha.

Sarita ne apne munh se Nishchal ka hath hataya aur uske gale lag gayi. Sarita ki aankho mein Khushi ke aanshu the. Nishchal ne usase pochha.

Nishchal- to kaisa laga mera surprise.

Sarita- ye meri zindagi ka sabse bada surprise hai. lekin aapne mujhe bataya kyon nahi ki aapne bhi ye exam diya tha.

Nishchal- main kaise batata tumhe. Main to shyor bhi nahi tha ki main paas bhi ho paunga, lekin luckly 320 rank aa hi gayi.

Sarita- Lekin aapne kabhi bataya nahi ki aap ka bhi aim IAS ban-na hai.

Nishchal- Ye mera aim nahi tha, lekin tumhari madad karte karte dimag mein khyal aaya ki main bhi ye exam de hi deta hoon. Aur dekho mere luck ne mera sath diya aur main bhi paas ho gaya.

Sarita- Aaj main sach mein bahut khush hoon aur is Khushi ki wajah aap hain.

Nishchal ne uska hath apne hath mein lete huwe kaha.

Nishchal- main chahta hoon ki ta-umar main tumhein aise hi khush dekhun.

Nishchal ki baat sunkar Sarita sharma gayi aur Nishchal ki baho mein simat gayi.

Dono kuchh der aise hi khade rahe tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Manisha ka tha. Sarita ne phone uthaya to Manisha ne kaha.

Manisha- Didiya Niche aao.

Sarita- Hmmmmmmm. Per Sir bhi to hain sath mein.

Manisha- Pahle tum aao. Main baad mein boss ka intezam karti hoon.

Sarita ne bechargi se Nishchl ki taraf dekha. Wah uski or badha aur uske mathe ko chumte huwe bola.

Nishchal- Tum jao Ab ek hafte baad milte hain.

Sarita ne apni apni bhauhein uthate huwe ishare se poochha.

Sarita- Ek hafte baad kyon??

Nishchal- Ufffff. Tum sawal bahut karti ho.

Sarita- Abhi se hi pareshan ho gaye. Aap to sari zindagi sath rahne ki baat karte hain.

Nishchal- (shararat se) Agar ab tum chup nahi hui na to main tumhare hontho ko kiss kar lunga.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar jhat se apne hontho par apna hath rakh diya. Nishchal uski is harkat par muskura diya. Sarita turant niche chali gayi.

Sarita ke aane ke baad jis tarah Se Manisha Nishchal ko lekar chat par chupke se gayi thi usi tarah Nishchal ko chupke se waha se bahar le aayi. Nishchal apne ghar chala gaya.

Nishchal ne apne ghar mein Sarita aur apne rishte ke bare mein bata diya. Naina ji aur Mahendra ji ko Sarita pahale se pasand thi. kahi na kahi unke man mein bhi yahi khayal chal raha tha, Sarita aur Manisha ko Unhone Savi ki shadi mein hi achhe se parakh liya tha. Isliye unhe is Rishte ke bare mein koi aapatti nahi hui.

Naina ji aur Mahendra ji ne Iske bare mein Raghav aur Savita se bhi baat ki. Dono ko pahle hi Nishchal aur Sarita ke bare mein pata tha to unhe bahut Khushi hui aur unhone is rishte par apni muhar laga di.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 103[/color]
[color=rgb(51,]

Hafte bhar baad Nishchal Apne mummy papa, Savita aur Raghav ke sath Sarita ke yaha pahucha. Jalpan ke baad Savita Sarita ke paas chali gayi. Naina ji aur Mahendra ji ne Nishchal ke Rishte ki baat ki aur Nishchal ke liye Sarita ka hath manga to Raani ji aur Aanand ji ek doosre ko dekhne lage. Paas mein baithi Manisha ne kaha.

Manisha- Mummy papa. Aap chaukiye mat. Aap ko yaad hain Mummy. Jab aap di ko job chhodne ke liye kah rahi thi to maine kaha tha ki ek ladka hai jo di ko bahut pyaar karta hai. Wo Boss hi hain. aur didiya ki taraf se bhi haan hai.

Manisha ki baat sunkar Raani ji waha se uthkar jane lagi to usne kaha.

Manisha- Ab aap kahan ja rahi hain.

Raani ji- (muskurate huwe) tum buddhu ho kya. Meri beti ka Rishta tay hua hai to kya aise hi sukhe muh sab baithe rahenge. Main mithayi lene ja rahi hoon. Ab to ham dono ki dosti rishtedari mein jo badal gayi hai.

Raani ji jakar Mithayi lekar aayi. Sab ne ek doosre ka munh mitha karwaya. Thodi der mein Savita bhi bahar aa gayi. Manisha Sarita ko ye khushkhabri sunane ke liye daud padi. Manisha Nishchal ko bhi jabran apne sath mein le gayi. Savita ne Sarita se yaha aane ka karan nahi bataya tha. Sarita kamre mein idhar udhar chakkar kaat rahi thi.

Tabhi Manisha ne darwaza khola. Sarita ne jab darwaze ki taraf dekha to wo chauk gayi, kyonki samne nishchal khada tha Manisha ke sath. Sarita ne Manisha ko dant-te huwe kaha.

Sarita- Manisha tumhe bilkul bhi tameez nahi hai kya?? Aise inhe yahan par leti aayi ho. Sab kya soch rahe honge??

Manisha- Tumhare alawa koi kuchh nahi soch raha hai. sab bat karne mein busy hain.

Sarita- Thik hai to tum bhi yaha mere sath baitho. Mujhe akela mat chhodo.

Manisha- main yahan kabab mein haddi kyon banu?? Mujhe pata hai ki tum khali upar upar se kah rahi ho ki ruk jao. Andar andar hi mujhe gali de rahi hogi.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne Nishchal ki taraf dekha aur kaha.

Sarita- Dekha aapne yah kitni badmash hai??

Nishchal- Are use badmash mat bolo. Usne hi to apni setting karwayi hai.

Abhi Sarita kuchh aur bolti tab tak Manisha ne Nishchal ko kamre mein thel kar darwaza band kar liya aur waha se bhag gayi.

Sarita ne daudkar darwaze ke paas jana chaha uske pahle hi nishchal ne uske hath ko pakadkar apni taraf kheech liya aur uske hontho par apni ungli rakhte huwe kaha.

Nishchal- Tumhari problem kya hai?? ham pahli baar to mil nahi rahe hain na?? fir itna kyon pareshan ho rahi ho tum??

Sarita ekdam chup hokar apni badi badi aankho se use dekhne lagi. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Achha bolo. Ab nahi bolta main tumhe kuchh bhi.

Sarita ne dhire se kaha.

Sarita- mummy papa ke samne aise achha nahi lagta. Wo log kya soch rahe honge hamare bare mein.

Nishchal- Kuchh bhi nahi soch rahe honge wo. Hamara Rishta tay ho gaya hai. main to tumhe bas ye batane aaya hoon ki kuchh hi mahino baad main tumhe yaha se lekar jaunga.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ke chehre par Aashcharya aur Khushi ke mile jule bhav the. Sarita ne Sharam se apni aankhe jhuka li. Nishchal abhi aur bhi kuchh kahna chahta tha, lekin tabhi Manisha ne darwaza knowk karte huwe kaha.

Manisha- Bas kariye ab. Milne ka samay samapt hota hai ab.

Manisha ki aawaz sukar dono ek doosre se door ho gaye. Nishchal ne Sarita ki taraf dekhte huwe Manisha se kaha.

Nishchal- Chhote miya tum na bahut kharab ho. tum hamesha galat time par entry kyon marti ho??

Manisha- hmmm pata hai mujhe. Bas kuchh hi mahine ki baat hai uske baad koi bhi rokne wala nahi hoga aap dono ko. Fir jitna marji utna pyaar...

Manisha iske aage kuchh aur bolti ki Sarita ne use aankhe dikhate huwe kaha.

Sarita- Bas ab iske aage aur nahi.

Manisha- Thik hai. tum yahi baitho main ja rahi hoon.

Manisha ne Nishchal ka hath pakda aur use lekar jane lagi. Sarita Nishchal ko aur Nishchal Sarita ko dekhte rahe.

Nishchal waha par aakar baith gaya. Raghav aur Manisha bhi aankho hi aankho mein bate karne lage. Manisha ko samay nahi mil pa raha tha ki wo Raghav se ekant mein kuchh baat kare.

Udhar Naina ji Raani ji se baat karte huwe kaha.

Naina ji- ham log chahte hain ki Training mein jane se pahle hi dono ki shadi ho jaye.

Raani ji- Lekin itni jaldi kaise.

Naina ji- Isme jaldi kaha hain Samadhan ji. Poore 2 mahine hain aapke paas. Uske baad main aakar apni bachhi ko yaha se le jaungi.

Naina ji ki baat sunkar Raani ji ne Aanand ji ki taraf dekha to unhone sahmati mein Sir hilakar Apni Manjuri de di to Raani ji ne kaha.

Raani Ji- Ab main kya bolu. Aapki hi beti hai. aapka jab man ho tab aakar le jaiye use.

Naina ji- Achha. Ek baat aur. Bachcho ki Safalata ki Khushi mein hamne ghar mein pooja rakhi hai. hamein Achha lagega agar aap log bhi us pooja mein shamil ho.

Raani ji- Pahle to ham dono dost the to sochna nahi padta tha lekin ab beti ke sasural mein thodi hi aa jayenge.

Naina Ji- Wo Bhi to Sarita ka hi ghar hai na aur Abhi Sasural ban-ne mein 2 Mahine ka samay hai.

Naina ji ki baat sunkar sab hansne lage. Raani ji ne kaha.

Raani ji- Thik hai ham waha aayenge, lekin ham jeth ji ke yahan par rukenge.

Naina ji- Jaise aapko thik lage.

Uske baad kuchh der baithne ke baad Nishchal Sapariwar sabse vida lekar ghar wapas chala gaya. Aaj Sarita ke ghar walon ko bahut Khushi ho rahi thi ki Sarita ko uski pasand ka ladka mil gaya hai. Sath hi Is baat ki bhi Khushi thi ki Sarita itne bade ghar ki bahu banegi.

Aaise hi samay bit-ta gaya. Nishchal aur Sarita phone par baat karte the. Kabhi kabhi Savita ka bhi phone aa jata Sarita ko. Raghav aur Manisha bhi ghanto phone par lage rahte the. Isi tarah ek hafte gujar gaya.

Aaj Sab pooja mein shamil hone ke liye Kanpur pahuch gaye the. Savita aur Anant bhi Aaye huwe the. Buwa ji bhi waha par maujud thi. Sarita & Family jab waha par pahuchi to buwa ji ne khud aage badhkar unka Swagat kiya to Manisha ko bahut ashcharya huwa aur wo unhe bahut gaur se dekhne lagi.

Sarita ne pile rang ka chudidar pahna huwa tha to Manisha ne neele rang ka. Dono us shoot mein bahut pyaari lag rahi thi.

Nishchal ne gahre pile rang ka kurta aur safed paayjama pahna huwa tha to Raghav ne kreem color ka kurta paayjama pahna huwa tha. dono kurte payjame mein bahut handsome lag rahe the.
Sarita aur Manisha ne sabhi ke pair chuuwe. Manisha ne Savita se poochha.

Manisha- Aap kaisi hai didi.

Savi- Main bahut achhi hoon.

Manisha- Aap kaise hain jeeja ji. Aap to mujhe ekdam bhool hi gaye hain.

Anant- Main bhi thik hoon Sali Sahiba. Wo kya hai na Tumhari didi ke alava aur kisi ko yaad karna ka samay hi nahi milta. Din bhar inki hi sewa mein din gujar jata hai.

Manisha- Kyaa baat hai Jeeja ji. Kash mujhe bhi aisa hi pyaar karne wala pati mile.

Anant- Milega Milega. Tumhari bhi manokamna jaroor poori hogi Sali ji.

Savi- Kya aap bhi. Kyon pareshan kar rahe hain Manisha ko.

Anant- Lo ji. Maine kahan pareshan kiya ise. Dekh lo Sali ji. Aise hi meri aawaz dabayi ja rahi hai Shadi ke baad. Tum khud socho. Aise mein main kise yaad karunga. Mujhe ghar mein bhi to rahna hai.

Manisha- Achha Bas Bas ab aap dono ladne mat lag jaiyega.

Itna kahkar Manisha Raghav ke paas chali gayi aur usase baat karne lagi, Kuchh der baad Buwa ji ko koi kaam pada to Buwa ji ne bahut pyaar se Raghav ko bulaya.

Buwa ji- Raghav Beta. Jara idhar aana. Kuchh kaam hai.

Raghav- Ji buwa dadi ji. Aa raha hoon.

Manisha ne jab ye suna to Uske Aashcharya ki sima na rahi. uski aankhein badi ho gayi. Wo man hi man boli.

Manisha- Is medona ke haav-bhaav kaise badal gaye??

Samay ke sath Pooja ki vidhi bhi sampann hone lagi. Sarita aur Nishchal chori chori ek doosre ko dekh rahe the. Yahi haal Raghav ka bhi tha.

Pooja Bahut achhe se sampann ho gayi. Sab hall mein ekattha baithe huwe the ki tabhi Manisha apni jagah se khadi ho gayi aur boli.

Manisha- Mujhe aap sabhi logo se permission chahiye.

Savi- Kis baat ki tarmission??

Manisha- Mujhe kuchh kahna hai uski parmission.

Anant- Boliye boliye Sali Sahiba. Waise bhi aapko koi chuup kara de aisa kisi mein bhi sahas kaha??

Sabhi Anant ki baat sunkar hansne lage. Manisha ne Raghav se kaha.

Manisha- Raghav please yaha par aao.

Manisha ke aise bulane par Raghav ne man hi man kaha.

Raghav- Pata nahi is ladki ke dimag mein kya chal raha hai. pata nahi kya karne wali hai sabke samne ye. Hey bhagwan bacha lena mujhe.

Raghav man hi man aisa sochte huwe jakar Manisha ke samne khada ho gaya. Manisha ne ek baar sabki taraf apni najar uthakar dekha uske baad Manisha ghutne par baith gayi aur uski taraf ek gulab ka laal phool badhate huwe kaha.

Manisha- Raghav I Love You. Main tumse bahut pyaar karti hoon. Kya tum mujhe apni better half banaoge??

Manisha ka aisa kahna tha ki Raghav samet hall mein jitne bhi log baithe huwe the SAbhi chaunk gaye. Raani ji ne Manisha se kaha.

Raani ji- Manisha Ye kya behudgi hai. aise har samay Mazak karna achhi baat nahi hai.

Manisha- Mummy. Kya aapko lagta hai ki is samay main Mazak kar rahi hoon. Main sach bol rahi hoon. Main Raghav se bahut pyaar karti hoon.

Raani Ji- Lekin ye sab kaise. Kab Samajh mein nahi aa raha hai??

Savi- Aunty ji. Kya aapko ye achha nahi laga ki Manisha Raghav se pyaar karti hai.

Raani ji- Nahi beti aisi baat nahi hai, lekin Manisha ne kabhi bhi nahi bataya is bare mein. Shayad apni bahan ko bhi nahi bataya hai. isliye ham sab chaunk gaye iski ye baat sunkar.

Raani ji ki baat sunkar Savita apni jagah se uthi aur jakar Manisha ke paas khadi ho gayi aur boli.

Savi- Tumne kabhi kisi ko bataya kyon nahi.

Manisha- Ye mujhe batana nahi tha didi. Sabko dikhana tha.

Raghav ki halat is samay bahut kharab thi. usne to sapne mein bhi nahi socha tha ki Manisha Aise sabke samne usase apne pyaar ka izhaar karegi. Use bahut sharam aa rahi thi aur wo sharam se gada ja raha tha. Manisha ki baat sunkar Savita ne kaha.

Savi- Tumne bahut hi achha kiya Manisha. Tumhari pasand lakho mein ek hai. bahut achhi jodi bani hai tumhari aur Raghav ki. Jo kaam tumhein karna chahiye tha wo kaam mera bhaai kar raha hai. dekho kitna sharma raha hai wo ladkiyon ki tarah.

Savita ki baat sunkar Raghav ne sabki taraf dekha to Sabhi ko apni taraf hi dekhta paya. Raghav ne apne man mein socha.

Raghav- Achha fansaya hai tumne mujhe aaj. Iska badla main apne tarike se lunga. Chhodunga nahi tumhe main.

Raghav ko kisi soch mein dooba dekhkar Manisha ne kaha.

Manisha- Boliye na Raghav ji. Kuchh to jawab dijiye.

Lekin Raghav sharma raha tha. use kuchh na bolta dekh kar Savita ne kaha.

Savi- Ladka to sharma raha hai isliye kuchh nahi bol raha hai, lekin ladke walon ki taraf se haa hai. Kya aisa nahi ho sakta ki dono bahnon ki ek hi mandap mein shadi ho jaye. Mujhe ek sath do-do bhabhiya mil jayengi.

Savita ki baat sunkar Sarita sharma gayi, lekin Manisha ne tapak se jawab diya.

Manisha- Nahi didi. Main didiya ki shadi ko khoob achhe se enjoy karna chahti hoon. Maine to ye isliye kaha hai ki didiya ka to ho gaya, ab koi mere upar bhi dhyan de.

Raani ji- (narazgi ke sath) Manisha. Tumhe bilkul bhi sharam nahi aati aisi batein karte huwe.

Savi- Aunty ji. Jisne ki sharam uske phoote karam. Aur waise bhi Manisha ne koi galat kaam to kiya nahi hai, balki himmat dikhate huwe sabke samne apne pyaar ko sweekar kiya hai.

Nishchal Sarita ke paas hi baitha tha. Usne dhire se Sarita ke kan mein kaha.

Nishchal- Kuchh sikho apni chhoti bahan se.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne ghoorkar Nishchal ki taraf dekha to usne apni gardan jhuka li aur muskurane laga.

Raghav waise hi khamosh khada huwa tha ki tabhi Buwa ji ne kaha.

Buwa ji- Are haan bol do Raghav bitwa. Nahi to ye ladki tumhare hi pichhe padi rahegi. Haan nahi to batao jara.

Manisha- (dhire se) Jaise aapke pichhe padi thi.

Savi- Ab to buwa dadi ji ne bhi bol diya hai Raghav. Ab to haam kar hi do.

Buwa Ji- Ab jaldi se haan kah do Warna itne din tak jo meri sewa ki hai wo sab bekar ho jayega. Haan nahi to bataao jara.

Ab Raghav ke paas koi chara nahi tha to usne bhi muskurate huwe apni mundi haan mein hila di aur bola.

Raghav- I Love you too.

Raghav ki baat sunkar Manisha bahut khush hui aur usne Khushi se Raghav ko gale laga liya. SAbhi ghar wale bahut khus huwe. Naina ji ne kaha.

Naina ji- Lo ji Ab to Raghav ne bhi apni hami de di hai. Bahut Khushi ki baat hai ye. Rukiye main sabka munh mita karti hoon.

Itna kahkar unhone ek mulajim ko mitayi lane ke liye bol diya aur Raani ji ki taraf dekhte huwe kaha.

Naina ji- Aapki dono betiyon ka ab hamare paas rahne ka samay aa raha hai Raani ji.

Raani ji- Lekin Abhi 2 sal tak main Manisha ki shadi nahi karungi. Ek sath dono betiya mere ghar se vida ho jayengi to mera aangan suna ho jayega.

Naina ji- Hmmmmm. Main samajh sakti hoon. Mujhe koi jaldi nahi hai.

Tab tak Mulajim mithayi lekar aa gaya. Sabhi ne ek ek piece mithayi lekar apna munh meetha kiya.
[/color]


[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]LAST UPDATE[/color]

[color=rgb(51,]Kuchh der baad Sab log khana khane ke liye baith gaye. Manisha kisi kaam se kamre mein ja rahi thi to Raghav ne uska hath pakadkar apne kamre mein kheech liya aur darwaza band kar liya, Achanak hui is ghatna se Manisha hadbada gayi. Raghav ne uski taraf dekhte huwe kaha.

Raghav- Ye sab kya karke aayi ho tum bahar??

Manisha- Maine kya kiya??

Raghav- dekho Manisha Abhi main Mazak karne ke mood mein bilkul nahi hoon.

Manisha- Waha to tumhari aawaz hi nahi nikal rahi thi, yahan par dekho kaise tote ki tarah bol rahe ho.

Raghav- Dekho topic mat ghumao.. pahle jo main puchh raha hoon wo batao. Ye sab karne ki kya jaroorat thi??

Manisha- Pahle ye batao ki medona tum par itni meharbaan kyon hain?? aisa kaun sa jadu kar diya hai tumne unpar ki to tumhara naam lete nahi thak rahi hain.

Raghav- Wo sab baad mein bataunga. Pahle tum ye batyao ki ye sab kyon kiya tumne??

Manisha- Naa. Jab tak tum mujhe nahi bataoge. Tab tak main bhi tumhe nahi bataungi.

Raghav- Tum itni jiddi kyon ho Manisha??

Manisha- Tumhari hone wali biwi jo hoon.

Raghav- Matlab kuchh bhi.

Manisha- Kuchh bhi ka kya matlab hai. mein tumhari biwi nahi hoon kya.

Raghav- Badi jaldi hai tumhe meri biwi ban-ne ki. Lekin abhi usme samay hai. Pahle Nishchal ka band to bajne do. Fir meri baari aayegi.

Manisha- Are yaar batao na.

Manisha ki baat sunkar Raghav use us samay ki baat batata hai jab buwa ji ke dil mein Raghav ke liye pyaar ki shuruaat hui thi.
[/color]

[color=rgb(65,]7 MAHINE PAHLE.[/color]

[color=rgb(255,](Kahani Ragahav ki jubani)[/color]

[color=rgb(51,]7 mahine pahle jab buwa dadi ji yaha par aayi thi us samay main bhi ghar mein hi tha do din baad wo kisi kaam se upar kamre mein ja rahi thi to Mummy ji ne unhe kaha.

Mummy ji- aap upar kyon ja rahi hain Buwa ji. Koi kaam ho to bata dijiye Raghav kar dega wo kaam.

Buwa Ji- Dekho bahuriya. Tum us naaspite ko bhale hi apna beta manti ho, lekin hai to wo kisi ka ganda khoon hi na. isliye mere samne us naaspite ka naam mat liya karo. Haan nahi to batao jara.

Mummy ji- Ye aap hamesha Raghav ko tana kyon deti rahti hain Buwa ji. Kitna Achha hai Raghav. Hamesha aapka samman karta hai. Aapki itni jali kati sun-ne ke baad bhi Raghav ne kabhi palatkar aapko jawab tak nahi diya aur aap hain ki hamesha Raghav ko sunati rahti hain.

Buwa Ji- Bahuriya. Ab tum mujhe sikhaogi ki mujhe kya karna hai. Tumhe apni mamta lutani hai to lutao us naaspite par. Lekin mujhse ye ummeed mat karna kabhi. Main bhi kahan Tumse uske bare mein baat karne lag gayi. us naaspite ke chakkar mein to main apna kaam hi bhool gayi. haan nahi to batao jara.

Itna kahkar Buwa dadi ji sidhiyo se upar jane lagi. Wo upar phuch hi chuki thi, do step baki tha chadhne ke liye ki achanak se bhuwa dadi ka pair step se fisal gaya aur buwa dadi ji sidhiyo par gir gayi aur ludhakti hui niche aa gayi.

Buwa dadi ji ke girne ki aawaz mujhe bhi sunayi padi. main apne kamre mein hi tha. main unki aawaz dunkar apne kamre se bahar aane laga to mujhe mummy ji ki aawaz sunayi padi.

Mummy ji- Raghav beta. Jaldi se bahar aa. Buwa ji Sidhiyo se gir padi hain. bahut chot lagi hai unhe.

Mummy ji ki aawaz sunkar main turant waha par aa gaya. Maine dekha ki buwa dadi ji niche jameen par padi karah rahi hain. Unke pair ke ghutne aur kohaniya chhil gayi thi. usme se khoon nikal raha tha. unki kamar aur nichhle hisse mein andruni chotein bhi aayi thi. mujhe dekhkar mummy ne kaha.

Mummy- Ab khada khada kya dekh raha hai tu. Jaldi se buwa ji ko lekar hospital chal.
[/color]

[color=rgb(65,](Us samay papa ji kisi kaam se Kanpur se bahar gaye the. Armesh bhi apne business ke silsile mein merut gaya huwa tha.)[/color]

[color=rgb(51,]Mummy ki aawaz sunkar maine kaha.

Main-Haan mummy main karta hoon kuchh.

Jab main buwa dadi ji ko uthane ke liye aage badha to buwa ji ne dard mein karahte huwe mujhe jhidakte huwe kaha.

Buwa ji- Bahuriya. Is naaspite se kah do ki mujhe hath na lagaye. Kisi aur ko bula do jo mujhe hospital pahucha de. Iske chhune se to main waise hi mar jaungi. Haan nahi to batao jara.

Mummy ji- Ye kya kah rahi hain aap buwa ji. Is samay ghar mein aur koi nahi hai. Armesh bhi bahar gaya hai aur iske papa bhi. Is samaya ap mere bachhe ke bare mein galat salat sochna chhodiye aur apne bare mein sochiye. Is samay aapka Hospital pahuchana jyada jaroori hai.

Mummy ke kahne ke baad bhi buwa dadi ji apni zid par adi hui thi. to maine unki baato ko najarandaz karte huwe age bahkar unhe utha liya. Buwa dadi ji mujhse chhutne ke liye chatpatane lagi aur boli.

Buwa ji- Chhod mujhe naspite. Mujhe hath lagakar apvitra mat kar. Niche utar mujhe naspite.

Main- Aap ko jo bhi kahna ho, jitni bhi galiye mujhe deni ho wo sab aap thik hone ke baad mujjhe de dijiyega, lekin abhi main aapki koi bhi baaat nahi sununga. Is samay aapko hospital le jana jyada jaroori hai. isliye abhi aapko hospital chalna hai.

Uske baad main buwa dadi ji ko uthakar bahar laya aur car mein baitha diya. sath mein mammy bhi thi. main Mummy ji ke sath buwa dadi ji ko hospital lekar gaya. Pure rashte buwa ji dard ki halat mein bhi mujhe ulta siddha sunati rahi. Lekin mujhe us samay unki baato se jyada unki chinta thi. maine hospital mein buwa ji ko admit kiya.

Mummy ji ne papa ji ko phone karke sari baat batayi. Papa ji ne jaldi aane ke liye bol diya. buwa ji ko admit karwane ke baad maine Armesh ko phone karke sari baat batayi. Usne aane ke liye bola to maine use bol diya ki wo apna kaam finish karne ke baad hi aaye. Main yaha par sab sambhal lunga.

Buwa ji tin din hospital mein Rahi. In tin dino mein main unki jali kati suntan raha aur unki sewa karta raha. Tin din baad buwa ji ko hospital se discharge karwakar ghar lekar aaya.

Tab tak papa bhi aa gaye. Ghar mein bhi main buwa ji ki khoob man lagakar sewa ki. Lekin is dauran buwa ji mein ek pariwartan aaya tha. wo mujhse baat to nahi karti thi, lekin ab wo mujhe jali kati bhi nahi sunati thi. maine unke khane se lekar kapde dhulne tak ki, Kyonki main nahi chahta tha ki mummy ko thodi bhi pareshani ho.

Kuchh hi dino mein buwa ji thik ho gayi to ek din mummy aur papa ne buwa ji se baat ki.
Papa- To ab kaisi tabiyat hai aapki buwa ji.

Buwa ji- Ab to main ekdam thik ho gayi hoon betwa.

Mummy ji- Buwa ji. Ham aapse juban nahi lada rahe hain aur na hi aapko nichha dikhane ki koshish kar rahe hain. ek baat kahna chahte hain aapse. Ham log mante hain ki Raghav hamara khoon nahi hai, lekin Abhi wo ham dono ka beta hai.

Ham dono ne apne Nishchal, Savi aur Raghav mein kabhi bhi koi bhed nahi kiya. Raghav ne bhi hamesha har rishte ko samjha hai aur Har rishte ko poori siddat se nibhaya hai. Tabhi to Aaj Savi ko Nishchal se jyada Raghav pyara hai. Hame bhi ye kahte huwe garv hota hai ki Raghav hamara beta hai.

Chalo ek baar aapki baat bhi man lete hain ki Raghav kisi aise maa baap ki aulad tha jisne use tyaag diya. ye bhi maan lete hain ki uski rago mein ganda khoon bah raha tha. lekin Kya aapne kabhi dekha ki usne kabhi bhi kisi se bhi chahe chhota ho ya bada. Ameer ho ya gareeb. Kisi se bhi galat bhasha mein baat ki ho. kabhi kisi ko nuksan pahuchaya ho to wo ganda khoon kaha se ho gaya.

Ham dono ne use pala hai. ham dono ne use parwarish di hai. sahi galat ke bare mein sikhaya hai. Jab aapko Nishchal aur Savita se koi rosh nahi hai to fir hamare bete Raghav se kis liye rosh hai. wo isliye ki Raghav ne meri kokh se janam nahi liya. Kisi ki kosh se janam lene se kisi ka khoon ganda ya saf nahi ho jata buwa ji. Balki uski parwarish ye tay karti hai ki us bachhe ka khoon ganda hai ya saaf.

Agar Aapki najar mein Raghav ka khoon ganda hai to fir Nishchal aur Savi ka khoon bhi to ganda hi huwa na, kyonki Raghav ki tarah maine hi un dono ki parwarish ki hai. aap hi bataiye buwa ji ki agar Raghav ka khoon ganda hota to aapki har baat ka wo jawab deta. Chupchap aapki jali kati bate nahi sunta rahta jo aapne use hamesha sunayi hai.

Agar mere Raghav ka khoon ganda hota to jis din se aap sidhiyo se giri hain tab se lekar ab tak mere Raghav ne aapki sewa karne mein koi kami nahi chhodi. Din raat aapki sewa mein laga raha, bawjood iske ki aapne use hamesha se napasand kiya hai. ye sab usne isliye kiya. Kyonk uski parwarish hamne ki hai. use aise sanskar diye hain. Ab aap hi bataiye ki Hamara Raghav kaha se galat lagta hai aapko.

Agar wo aapka saga Pota bhi hota tab bhi wo itna kuchh nahi karta aapke liye jitna hamare Raghav ne kiya hai aapke liye. Fir aap ye kaise kah sakti hai ki hamare bete ka khoon ganda hai. Aapko jo bhi kahna ho ham dono ko kah liya kijiye, lekin Raghav se kuchh mat kaha kijiye.

Aapko nahi pata ki Jab aap Raghav ko ganda khoon aur Naspita bolti hain to Hamein kitni takleef hoti hai. Ham apka bahut samman aur aadar karte hain Buwa ji, isliye hamesha khamosh rahte hain. Lekin ab aage se aap Hamare bete ko kuchh mat kahiyega.

Ye sab kahte kahte mummy ji ne apne hath jod liye aur rone lagi. Kamre ke bahar main khada mummy ji ki baat sunkar meri aankho se jhar jhar aanshu bahne lage. Mere janamdata ne bhale hi manhoos ya najayaz ya jo bhi karan raha ho mujhe tyagne ka, tyag diya tha,

Lekin mein us ghadi ko apne jeewan ki sabse khusnaseeb ghadi manta tha, jis samay mujhe mere janamdata ne tyaag diya, Kyonki Mujhe itne pyaar aur sneh karne wale maa baap jo mile. Is samay main duniya ka sabse khushnaseeb insan apne aapko maan raha tha. Kyonki mere mummy papa mujhse bepanah pyaar karte hai.

Mujhe itna pyaar aur sneh shayad apne janamdata maa baap se kabhi nahi milta. Main bahar diwaar ke Sahare take lagakar baith gaya aur aanshu bahata raha. Mummy bhi andar baithkar ro rahi thi. papa ji ne buwa ji se kaha.

Papa ji- Haan buwa ji. Raghav bahut achha ladka hai. Aap ek baar uske baare mein apna najariya badaliye. Ek baar use Savi aur Nishchal ki tarah dekhiye fir aapko pata chalega ki wo heera hai. Bahut naseeb wale maa baap ko aise honhar aur heera jaisa beta milta hai.

Buwa dadi ji bas Mummy papa ki baatein sun rahi thi. Itne din maine buwa dadi ji ki jo sewa ki thi. use dekhkar buwa dadi ji ko bhi mummy papa ki baato mein sachhai najar aa rahi thi. thodi der ki khamoshi ko todte huwe buwa dadi ji ne kaha.

Buwa Ji- Shayad tum dono sahi kah rahe ho. main hi Raghav ko nahi samajh paayi aur hamesha bhala bura use bolti rahi. Mujhe ab samajh mein aa raha hai ki sanskar aur pariwarish se hi insan achha aur kharab banta hai.

mujhe apni galti ka ehsas ho gaya hai bahuriya. Mujhe maaf kar do tum dono. Ab Raghav ke liye mere dil mein koi mail nahi hai. Tumne sahi kaha Mahendar. Raghav sach mein heera hai heera.

Aaj buwa ji ki ye baat sunkar mujhe aseem aanand ki prapti ho rahi thi. mujhe aisa lag raha tha ki mera man tript ho gaya hai. Main Andar jakar Buwa dadi ji. Papa ji aur mummy ji se lipatkar rona chahta tha lekin maine apne jajbato par kisi tarah kabu kiya aur apne kamre mein chala gaya.
[/color]

[color=rgb(65,]Back to Present.[/color]

[color=rgb(51,]Us din ke baad se Buwa dadi ji ka man meri taraf se ekdam saaf ho gaya. Ab buwa dadi ji mujhe kabhi bhi bhala bura nahi kahti aur pyaar karti hain.

Raghav ki poori baat sun-ne ke baad Manisha ne kaha.

Manisha- Achha ye baat hai medona ke badlav ke pichhe. Achha huwa ki budhiya sidhiyo se ludhak gayi. nahi to wo hamesha tumhe bhala bura kahti rahti. Mujhe ye bilkul bhi achha nahi lagta tha.

Raghav- Aaisa nahi bolte Manisha. Wo badi hain hamse.

Manisha- Badi hain to kya huwa. Wo kuchh bhi karengi kya. Jo bhi huwa achha hi huwa. To tum isiliye mera phone nahi utha rahe the aur mujhse baat karne ki fursat nahi thi tumhare paas. Na hi kabhi tum mujhse milne aaye is bich.

Raghav- Haan wo buwa ji ki dekhbhal ke sath sath business ke kaam mein bhi bahut busy tha.

Manisha- Achha. To maine isi wajah se sabke samne bol diya. yahi tumhare ignorance ki saza hai. Manisha se panga lena tumhe hamesha mahnga padega Mr. Raghav.

Raghav- Achha ye baat hai. Mujhe bhi tumse apna purana hisab kitab chukana hai.

Itna kahkar Raghav ne apna chehra aage badhaya hi tha ki tabhi Sarita ki aawaz sunayi padi jo Manisha ko bula rahi thi.

Sarita- Manisha kaha ho tum. Sab tumhara khane par intezar kar rahe hain. jaldi aao.

Sarita ki aawaz sunkar Manisha jhat se waha se muskurati hui nikal gayi.

Sabhi log khana kha chuke the to ab jane ki taiyari kar rahe the. Kuchh hi der mein Sarita & Family waha se chali gayi.

Isi tarah din gujarne lage. Phone par Sarita aur Nishchal ki tatha Raghav aur Manisha ki baat chit hoti thi. kabhi kabhi Savita se bhi sarita aur Manisha ki baat ho jati thi.
[/color]

[color=rgb(65,]2 Mahine baad.[/color]

[color=rgb(51,]Aaj Sarita ka ghar Rang birange phoolo se sajaya gaya tha. Kyonki Aaj Sarita ki shadi thi. Aaj Joshi pariwar mein do khushiya ek sath aayi thi. Aaj Hi Manisha ka UP Teacher ka Result ghoshit huwa tha aur Manisha paas ho gayi thi. ghar mein doguna Khushi ka mahaul tha.

Sarita ne shadi mein Apne purane collegue ko bhi invite kiya tha. Mohit aur Jawed to Nishchal ki taraf se aane wale the. Baki Kaushal, Vikas, Ranjana aur Janhavi Sairta ke yaha pahuche the,

Amit shadi mein nahi aaya tha. Kyonki uski wife pregnant thi. Manisha subah se bhagdaud kar rahi thi. Abhishek bhi mehmano ke swagat mein laga huwa tha. Kuchh hi der mein barat aa gayi.

Sarita aaj surkh lal jode mein bahut khoobsurat lag rahi thi. Nishchal chahkar bhi usase najarein nahi hata pa raha tha. Nishchal bhi sherwani mein bahut handsome lag raha tha. Dono aaj Shadi ke Pavitra bandhan mein bandhne ja rahe the. Vivah ki poori rasham sage sambandhiyo aur pariwar wali ki upasthithi mein sampan hui.

Vivah achhe se sampan hone ke baad vidayi ki bela aa gayi. Sarita sabhi ke gale milkar khoob royi. Sabhi ne Sarita aur Nishchal ko unke Achhe Vaivahik jeewan ki badhai aur shubkamnayein di.

Sarita vida hokar Nishchal ke ghar mein aa gayi thi. Sari Rashm khatam hone ke baad Rat mein wo Nishchal ke kamre mein baithi hui thi. poora karma rang birange khushbudar phoolo se sajaya gaya tha. Sarita kamre mein baithi Nishchal ka intezar kar rahi thi. Jab Nishchal kamre mein aaya to Sarita apnea ap mein hi simat gayi. Uski sanse tez ho gayi.

Nishchal Sarita ki bechaini ko Achhi tarah se samajh raha tha, Kyonki thodi bahut ghabrahat to use bhi ho rahi thi. Wah Chalta huwa Sarita ke paas aakar baith gaya. Dono kal se shadi ki Rasham aur aur Rashme nibhate nibhate thak gaye the. Baithne ke baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- Tum thik ho??

Sarita- (hans kar) Aapko kya dikh raha hai.

Nishchal- wo maine isliye poocha ki main thak gaya hoon.

Sarita- Haal to mera bhi kuchh kuchh aisa hi hai.

Nishchal- Kya main tumhari god mein apna sir rakh sakta hoon.

Sarita- Kya ab bhi poochhna jaroori hai. ab main aapko patni hoon.

Nishchal- wo to hai. lekin fir bhi tum lady don bhi to ho.

Sarita Nishchal ki baat sunkar muskura di. Nishchal ne apna Sir Sarita ki god mein rakh diya. Pahle to Sarita ko thoda asahaz mahsoos huwa fir thodi der baad wo Nishchal ke balo mein ungaliya firane lagi..

Nishchal ne Sarita ka hath pakad liya aur uski aankho mein dekhte huwe uska hath chum liya. Sarita ne jhukkar uska matha chum liya. Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- Hmmmm. To kaisa lag raha hai tumhe Mrs. Sarita Nishchal Singh Rathod Bankar.

Nishchal ki baat sunkar Sarita muskurane lagi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Are Muskurane ke liye maine nahi kaha tha. maine jo pucha hai wo batao.

Sarita- Ye bhi koi puchhne wali baat hai. is Khushi ko to bas mahsoos kiya ja sakta hai.

Nishchal- Achhaa. Par meri to puchho hi mat. Main to bahut hi Jyada khush hoon.

Sarita- Achhaaa.

Sarita ne ye baat unghate huwe kahi to Nishchal turant uski god se uthkar baith gaya aur bola.

Nishchal- tumhe to neend aa rahi hai. Jao aur change kar lo. Mujhe bhi neend aa rahi hai.

Sarita- Hmmmmm. (apne man mein) main bahut khushnaseeb hoon ki mujhe aap jaisa achha pati mila hai. jise apni biwi ki parwah hai. jo mujhe achhi tarah se samajhta hai.

Sarita ne jakar apne kapde badal liya aur aakar Nishchal ke bagal mein let gayi. uski aankh pata nahi kab lag gai use pata hi nahi chala. Subah jab uski aankh khuli to usne apne aapko nishchal ki baho mein paya. Nishchal abhi bhi so raha tha.

Sarita ne uski taraf dekha aur uske chehre par muskan aa gayi. Sarita ne dhire se Nishchal ke mathe par kiss kiya aur jhat se uthkar bathroom ki taraf bhagi.

Sarita ki chudiyo ki khanak aur payal ki chham chham se Nishchal ki bhi neend khul gayi. par usne apni aankh nahi kholi aur Sarita ki harkat par muskurane laga.

Sarita aur Nishchal jab fresh hokar bahar nashte ki table par aaye aur sabhi ko pranam kiya. Nashta karne ke baad Savita ne unhe haneymoon ke liye Manali ki do tickets diye to Sarita ne kaha.

Sarita- Iski kya jaroorat hai di.

Savi- (chhedte huwe) Ab mujhe ye bhi batana padega kya??

Savita ki baat sunkar Sabhi muskurane lage. Jab Sarita ko iska ehsas huwa ki usne kya kaha hai to wo sharma gayi aur apne kamre mein bhag gayi.

Agle din Sarita aur Nishchal Manali jane ke liye apni apni packing kar rahe the to Nishchal ne use apni baho mein bharte huwe kaha.

Nishchal- To tum sath mein chalne ke liye ready ho.

Sarita- maine to apni Sari Zindagi aapke naam kar di hai. Aap jaha main waha. Isme puchhne ki kya baat hai. AApke sath ab umar bhar ka safar hai mera.

Nishchal- Tum yakin rakho. Tumhara ye sath Jiwan ke kisi bhi mod par tumhe akela nahi chhodega. Har kadam par tumhare sath khada rahungaa. Meri har dhadkan dhadkegi sirf Tumahre liye, Meri har khushi hogi Sirf tumhare liye, main jo bhi karunga sirf Tumare Liye.

Sarita- Mujhe apne aapse bhi jyada aap par yakin hai.

Nishchal ne Sarita ka hath pakadte huwe kaha.

Nishchal- Tumhara ye yakeen main tutne nahi doonga.

Itna kahkar Nishchal ne Sarita ka hath chum liya to Sarita ne sharma kar apni najarein jhuka li.

Uske baad Sarita aur Nishchal haneyvmoon par manali chale gaye.

Raghav aur Manisha ki baat cheet phone par jari thi. Haneymoon ne wapas aane ke baad sabhi apni apni zindagi mein vyast ho gaye.
[/color]

[color=rgb(65,]3 Mahine baad[/color]

[color=rgb(51,]Aaj Nishchal, Sarita aur Manisha apne jeewan ka ek naya Adhyay shuru karne ja rahe the, kyonki Sarita aur Nishchal ko training ke liye letter aaya tha aur Manisha ko teacher ki joining ke liye.

Tino apne apne jeewan ki nayi shuruaat ke liye nikal chuke the.

[/color]
[color=rgb(65,]Dosto aur Pathko.[/color]

[color=rgb(61,]Ye kahani yahi samapt hoti hai. ye kahani meri soch se jyada lambi ho gayi. Ye kahani aap sabhi pathko ko kaisi lagi ye jaroor bataiyega.[/color]

[color=rgb(147,]Is kahani ke baad main ek Suspence Thriller kahani shuru karungi. Jiska naam hai [/color][color=rgb(255,]Begunaah Katil.[/color][color=rgb(147,]Lekin ye kahaani kab shuru hogi iske bare mein mujhe khud nahi pata. Isliye jab ye kahani shuru hogi tab Is kahani par bhi aap sabhi ke bharpoor pyaar aur Sahyog ki Ummeed rahegi.[/color]

[color=rgb(0,]Jate Jate chand pantiyan meri taraf se aap sabhi pathko ke liye. Shayad aap sabhi ko ye pasand aaye.[/color]


[color=rgb(255,]Tumhi to meri jaan ho. suno naa.

Tumhi se to meri pahchan hai. suno na.

Tum jo nahi to kuchh bhi nahi Zindagi mein.

Tumhi to mere jeewan ka Abhiman ho. Suno na.

Tumhari berukhi se dard hota hai mujhe.

Hanso aise jo mere dard ka nidan ho. suno na.

Tumhare rahne se Mahakta hai ye ghar aangan.

Tumhi to bhagwan ka Anmol vardaan ho. suno na.
[/color]



[color=rgb(61,]Tum jo aaye to Zindagi poolo si mahak uthi.

Tumhe dekhkar main Khushi se chahak uthi.

Suraj ki kirne neer se jaise karti hain athkheli

Tumhari baho mein aakar waise main bahak uthi.
[/color]



[color=rgb(255,]Samapt/The End/ Khatam.[/color]
[color=rgb(255,]पूर्ण/समाप्त/खत्म[/color]
 
Back
Top