Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Completed)

[color=rgb(0,]UPDATE- 76[/color]

[color=rgb(51,]Sarita Aur Nishchal ki galatfahmi ke karan tail ka dibba jameen par gir pada aur fut gaya. Chunki dibba 5 liter ka tha aur lagbhag 4 leater tel usme bhara huwa tha aur kitchen ki farce pakki hone ke karan poore kitchen main tail fail gaya tha. Ye dekhkar Sarita ne Munh banate huwe Nishchal se kaha.

Sarita- Maine kaha tha na ki aap jaiye main khana bana deti hoon, lekin nahi. Meri baat man-ni hi nahi thi aapko. Ab dekhiye kya kar diya aapne. Ek kaam aur badha diya.

Nishchal- Is baar poori galti tumjhari hai. tumhe batana chahiye tha ki tum dibba mujhe pakda rahi ho.

Sarita- Meri galti nahi thi isme aapki galti thi. mujhe laga tha ki aap ka dhyan meri taraf hi hai.

Nishchal- (chidhate huwe) Mere itne bhi bure din nahi aaye hain ki main tumhari taraf dhyan doonga.

Sarita- (aankh dikhakar) Kya kaha aapne. Jara fir se kahiye.

Nishchal- Maine kya kaha. Maine to kuchh nahi kaha. Main to kah raha tha ki mera dhyan tumhari taraf nahi tha main to namak ka dibba nikal raha tha. Tumhe batana chahiye tha.

Sarita- Aap yaha meri madad ke liye khade the na to jaroori thodi hai ki main aapko har baar batau ki dibba pakadna hai. ye to aapko khud samajhna chahiye tha ki jab dibba diya hai to use wapas bhi rakhna hoga. Fir aap ye baat kaise bhool gaye. Galti aapki hai.

Nishchal- Thik hai chalo maan leta hoon ki galti meri hai. lekin tum kitni laparwah ho. kam se kam dhakkan to tite band kar deti.

Sarita- Dhyan se dekhiye. Tail dhakkan ke tite ya loose hone se nahi gir raha hai balki dibbe ke fat ne ki wajah se gir raha hai. Aap jaiye yaha se ab main saff kar deti hoon.

Ye kahkar Sarita ne gas band kar diya is par Nishchal ne kaha.

Nishchal- Nahi tum rahne do. Ye meri wajah se gira hai to main kar lunga.

Itna kahkar jaise hi nishchal aage badha, tail ki chiknahat aur farch ki chiknahat ke karan uska pair fisal gaya. Nishchal ne apne aapko sambhalne ki bahut koshish ki lekin sambhal nahi paya aur gir pada. Uski yah halat dekhkar Sarita ko hansi aa gayi aur wo jor jor se hansne lagi. Ye dekhkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Isme hansne ki kya baat hai. mera pair fisal gaya tha samjhi.

Ye bolkar Nishchal uthane laga, lekin fislan kuchh jyada thi to wo fir se gir pada. Sarita fir se hansne lagi. Nishchal ne use ghoor kar dekha aur fir se uthne ki koshish ki, lekin Fir se fisal kar gir pada. Nishchal jitni baar bhi uthne ki koshish karta. Har baar fisal kar gir jata. Sarita ye dekhkar jor jor se hans rahi thi. Nishchal use ghoor kar dekh raha tha to Sarita ne apni hansi dabate huwe kaha.

Sarita- Kya huwa Sir. Uth nahi pa rahe hain kyaa. Main kuchh madad karu aapki.

Nishchal- Mujhe tumhari madad ki koi jaroorat nahi hai. main khud uth sakta hoon.

Sarita- Haan ye to dikh hi raha hai ki kitna uth sakte hain aur kaha tak uth sakte hain.

Ye bolkar Sarita fir se hansne lagi. Nishchal ne use munh banakar chidhaya aur fir se uthne ki koshish karne laga lekin baar baar fisal jata tha. Thodi der koshish karne ke baad wo hanfne laga to Sarita ne kaha.

Sarita- Sir. Mera hanth tham lijiye aur uthne ki koshish kijiye.

Ye kahte huwe Sarita ne apna hath aage badha diya. Nishchal ne bhi wakt na ganwate huwe apna hath aage badhate huwe Sarita ka hath pakad liya. Wah jaise hi Uthne ki koshish karne laga fir se fisal gaya aur gir pada. Nishchal ne Sarita ka hath pakda huwa tha isliye nishchal ke girne ke karan Sarita bhi Uske upar gir padi. Sarita ne apne aapko sambhalte huwe gusse se kaha.

Sarita- Ek bhi kaam aapse dhang se nahi hota. maine aapko uthane ke liye apna hath badhaya tha, lekin aapne to mujhe bhi gira diya.

Nishchal- Ab isme main kya kar sakta hoon. Isme to tumhari hi galti hai.

Sarita- (goorkar) maine aapko uthane mein aapki madad karni chahi to isme meri galti hai.

Nishchal- Nahi. Tumne meri madad karni chahi ye mujhe bahut achha laga, tumhari galti ye hai ti tum bahut halki ho. ab isme main kya karu. Jara sa jor dene par tum dana pani lekar mere upar hi gir padi. tum mere upar giri to tumhe pata hai mujhe kitni chot lagi.

Sarita- (gusse se) Ab jyada ban-ne ki koshish mat kijiye aap. Mujhe aapki madad karni hi nahi chahiye thi.

Nishchal- Achha thik hai apna gussa baad mein mujhpar nikal lena. Pahle tum uthne ki koshish karo.

Nishchal ki baat sunkar Sarita uthane ki koshish karne lagi, lekin wo bhi fisal ja rahi thi aur isliye wo Nishchal ka hath kaskar pakad leti thi. Nishchal man hi man uski halat par hans raha tha. Nishchal use dekhte hue man hi man mein bola.

Nishchal- Mujhe dekhkar tumhar bada maza aa raha tha na. bahut hans rahi thin a mere upar to ab hanskar dikhao. Tum khud ab usi setuation mein pahuch gayi ho. ab dekhata hoon ki tum kya karti ho.

Nishchal Sarita ko dekh raha tha. Sarita baar baar uthne ki koshish karte huwe pareshan ho gayi thi. ye dekhkar Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- Miss Joshi. Mere gale lag jao.

Sarita- (Aashcharya se) Aap kya bol rahe hain aapko kuchh pata bhi hai.

Nishchal- Haan mujhe pata hai main kya bol raha hoon. Main jo bhi bol raha hoon sahi bol raha hoon. Tum mere gale lag jao.

Sarita uski baat sunkar Use ghoorkar dekhne lagi. Abhi Sarita kuchh bolne ko hui ki tabhi Nishchal fir se bol pada.

Nishchal- Plz Ab kuchhh mat kahna. Main dekh raha hoon tum kab se koshish kar rahi ho, lekin baar baarrr...

Itna bolkar Nishchal hansne laga. Sarita bhi samajh gayi ki nishchal kya kahna chahta hai to sarita use ghoorne lagi. Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- Ab aise mujhe ghoorna band karo. Tum jitna late karogi utni jyada tumhe pareshani hogi. Meri baat mano aur jo main kah raha hoon wo karo.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar kuchh pal socha fir wo Nishchal ke gale lag gayii. Sarita ke gale lagte hi Nishchal jaise shunya mein chala gaya. Use aisa mahsoos ho raha tha ki jaise jeth ki tapti dopahri mein barish ki thandi fuhar uske tan man ko bhigo rahi ho.

Sarita ki garm sanse use apni gardan par mahsoos ho rahi thi. Uske sanso ki khushbu Nishchal ko madhosh kar rahi thi. Yaha sarita ki halat bhi Nishchal se juda nahi thi. Nishchal ke gale lagte hi uski dhadkan apne aap tez rafter se chalne lagi thi. uske sharir mein ek anchahi tarang uthne lagi thi. Jab Nishchal kuchh der aise hi pada raha to Sarita ne apne aapko sambhalte huwe kaha.

Sarita- Kya kar rahe hain Sir. Kab tak main aise hi padi rahungi.

Sarita ki baat sunkar Nishchal hosh mein aaya aur slab ki madad se khade hone ki koshish karne laga. Lekin wo baar baar fisal raha tha. Badi masakkat ke baad Nishchal khada huwa aur usi position mein wo Aram se chalte huwe kitchen se bahar aaya. Sarita dar ke mare abhi bhi uske gale lagi hui thi.

Nishchal to chahta tha ki Ye wakt yahi tham jaye aur Sarita aise hi uske gale lagi rahe aur aise gale lage hi apni sari zindagi gujar de. Lekin ye sambhav nahi tha. Nishchal Sarita ke gusse se achhi tarah wakif trha, isliye usne Sarita se kaha.

Nishchal- Miss Joshi. Mana ki main ek handsom, kancha aur banka naujawan hoon. Jispar ladkiya marti hain. Lekin main tumhare type ka bilkul bhi nahi hoon. Tum bahut boring prani ho, ab apni baho ka har mere gale se nikalo. Ham kitchen se bahar aa gaye hain.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ek jhatke se usase alag hokar khadi ho gayi. Sarita ne Nishchal ki baat par apni koi pratikriya nahi di. Use Is tarah se Nishchal ke gale lagna aur Fir Nishchal ki ye baat bahut ajeeb lag raha tha. Isliye usne apni najare nichi karte huwe kaha.

Sarita- Main kitchen saaf kar de rahi hoon. Tab taka ap kapde change kar ljiye.

Nishchal- Kapde to tumhare bhi Saaf nahi dikh rahe hain. Tum aisa karo ki kamre mein jakar apne kapde badal lo tab tak main ise saaf karne ka bandobast karta hoon.

Sarita- nahi main aise hi thik hoon. Kamre par jakar main change kar lungi. Aap pareshan mat hoiye.

Nishchal- To kya tum apne room tak is halat mein jaogi. Bilkul bhi nahi. Main tumhe aisi halat mein jane hi nahi dunga. Ab tum mujhse bahas mat kijiye aur jitna kaha hai utna karo.

Sarita ne bhi jyada bahas karna sahi nahi samjha aur Savita ke room ki or chal di. Nishchal ne Safai karne wale ko bolkar Kitchen ki saaf safai karwayi aur apne kamre mein chala gaya. Wo kapde badal kar apne bistar par baith kar abhi jo kuchh bhi huwa uske bare mein hi soch raha tha,

Nishchal ke chehre par jo muskan thi wo gayab hi nahi ho rahi thi. Sarita ka hath uske hath mein. Fir Sarita ka uske upar girna. Fir uske gale lagna, Ye sab ehsas use andar hi andar gudguda rahe the. Nishchal poori raat inhi khyalo mein khoya rahta agar Sarita ne darwaza na khatkhataya hota. Sarita ne khane ki plate uske samne rakhte huwe kaha.

Sarita- Lijiye khana kha lijiye Sir.

Nishchal ne dekha ki Sarita ne Savita ka Top aur lower pahna huwa tha jo use dhila dhala ho raha tha. Ye dekhkar Nishchal hansne laga to Sarita ne kaha.

Sarita- Mujhe pata hai ki in kapdo mein main jokar lag rahi hoon. Par pahle aap khana kha lijiye fir aapki jitni marji hogi utna hans lijiyega.

Nishchal ne Aashcharya se Sarita ko dekhte huwe kaha.

Nishchal- Itni jaldi tumhe chauka bhi laga diya dal mein.

Sarita- Daal mein chauka lagane ke liye din bhar nahi lagta bas 2 minute ka kam hai. waise bhi 1 ghante ka samay bit chuka hai aapko kamre mein aaye.

Sarita ki baat sunkar Nishchal apne aapme hi badbadane laga.

Nishchal- Are yaar 1 ghanta bit gaya. Main ek ghanta iske hi khyalo mein gum tha??

Sarita- Kuchh kaha aapne Sir.

Nishchal- Nahi.. kuchh bhi to nahi. Tumhari plate kaha par hai.

Sarita- Mujhe nahi khana.

Nishchal- Aise kaise nahi khana??

Sarita- Aap jaldi se khana kha lijiye. Mujhe room mein bhi jana hai, late ho raha hai.

Nishchal- Itni raat mein kaha jaogi. Raat yahi ruk jao. Subah chali jana.

Sarita- door thode hi jana hai. Yahi bagal mein hi to hai. Waise bhi Maine land lady ko bataya bhi nahi hai kuchh. Wo intezar kar rahi hogi.

Nishchal- to abhi call karke bata do ki kuchh important kaam aa gaya hai is wajah se nahi aa paogi.

Sarita- Kya jaroorat hai jhooth bolne ki. Jabki mujhe koi important kaam hai hi nahi. Main jis kaam ke liye aayi thi wo kaam to ho gaya hai. ab main ja rahi hoon. Aap pareshan mat hoiye main chali jaungi.

Itna kahkar Sarita wapas jane ke liye mud gayi to Nishchal ne uska hath pakad liya aur apni or kheench liya. Jiske karan Sarita Nishchal ke bilkul kareeb lagbhag satkar khadi thi. Nishchal ne uski aankho mein dekhte huwe se kaha.

Nishchal- Tumhe ek baar mein meri baat samajh hi nahi aati. Main insan hi hoon. Agar tum yaha rukh gai to main tumhe kha nahi jaunga. Main to isliye kah raha tha ki Subah tum fir aaogi Nashta banane ke liye. Isase achha rahega ki yahi par rah jao. Waise bhi Tum yaha aayi thi apni marji se lekin yaha se jaogi meri marji se. Samjhi.

Sarita- Main aapki koi naukar nahi hoon. Jo aapki marji se kaam karegi.

Ye sunkar Nishchal ne uska hath chhod diya aur doosri taraf dekhte huwe bola.

Nishchal- tum meri har baat ko kitna negative way mein le jati ho Miss Joshi. Maine na hi aisa kuchh bola hai tumhe aur na hi meri aisi koi soch hai tumhare bare main. Tum jitna bura mujhe samajhti ho main waisa nahi hoon. Thik hai tum nahi rukna chahti ho to jao.

Sarita- Sorry Sir

Nishchal- (use dekhte huwe) Khana kha lo nahi to main bhi nahi khaunga.

Nishchal ye bolkar kamre se bahar chala gaya. Nishchal jab kamre se bahar ja raha tha to Sarita ne badbadate huwe kaha.

Sarita- Pata nahi apne aapko kya samajhate hain. Nakhre to patiyo wale kar rahe hain.

Sarita ki ye baat Nishchal sun leta hai aur bahar se hi jor se chillate huwe bolta hai.

Nishchal- Lagta hai Miss joshi ne bahut experience kiye hain patiyo ke.

Nishchal ki baat sunkar Sarita kuchh nahi boli aur khane ki plate lekar Nishchal ke kamre se bahar aa gayi. Nishchal jakar dining table par bath gaya. Sarita bhi jakar uske samne ki table par baith gayi. fir Sarita ne apne liye bhi khana nikala aur dono khana khane laGE. Dono ke bich koi baat nahi hui. Dono ne chupchaap khana finish kiya. Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- Aisa karo tum di ke room mein so jao.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne kuchh bhi nahi kaha aur uthkar Savita ke room mein chali gayi. Uske jane ke baad Nishchal apnea ap se bola.

Nishchal- Ye kya hai yaar. Aadhi zindagi to meri ise manane mein hi bit jayegi. Tab Pyaar kab karunga. Ye pyaar karna to door ki baat hai pyaar se baat bhi nahi karti. Hey bhagwaan khaha fansa diya mujhe aapne is lady don ke chakkar mein???

Nishchal bhi uthkar apne kamre mein chala gaya aur Sarita ke bare mein hi sochte huwe so gaya. Doosre din Sarita ki neend jaldi khul gayi to wo Nishchal ke liye Nashta banakar apne room par chali gayi. Jab Nishchal uthkar bahar aaya to usne table par nashta rakha huwa dekha to Nishchal ne socha ki Sarita shayad kitchen mein ho. Jab Sarita use kitchen mein nahi mili to usne Sarita ko phone kiya to pata chala ki wo apne room par chali gayi hai.

Nishchal ne jab ye suna to use bahut bura laga ki Sarita ne Jane se pahle ek baar bhi use nahi bataya. Lekin wo kuchh kah nahi Sakta tha Sarita se, Isliye unse fresh hokar Nashta kiya aur duty ke liye nikal gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 77[/color]

[color=rgb(51,]Nishchal ne jab ye suna to use bahut bura laga ki Sarita ne Jane se pahle ek baar bhi use nahi bataya. Lekin wo kuchh kah nahi Sakta tha Sarita se, Isliye unse fresh hokar Nashta kiya aur duty ke liye nikal gaya.

Nishchal apne cabin mein baitha huwa raat mein jo kuchh bhi huwa uske bare mein soch raha tha. Nishchal apne man mein sochta hai.

Nishchal- Yaar main to Sarita se bahut pyaar karta hoon. Lekin Sarita mujhse tanik bhi pyaar nahi karti. Maine kai baar apna pyaar jahir karne ki koshish bhi ki lekin uske gusse se bhi dar lagta hai ki kahi wo bhadak gayi to use dekhne ke liye bhi taras jaunga. Main apne pyaar ke liye usko force bhi nahi kar sakta hoon.

Aakhir pyaar jabardasti thodi hi kiya jata hai, kahi aisa to nahi hai ki wo kisi aur se pyaar karti ho. agar aisa hota to chhote miya mujhe jaroor batati, uske ek hafte ke phone recording se bhi aisa kuchh samne nahi aaya ki wo kisi ko chahti ho.

Main sarita se pyaar karta hoon. Ye baat main use bol bhi nahi sakta aur na hi bolne ki himmat hai. Main ab koshish karunga ki usase kewal kaam ke sambandh mein hi baat karunga. Aur koshish karunga ki use meri wajah se koi bhi pareshani na ho. yahi thik rahe ga mere aur uske liye bhi.

Yahi sab sochte huwe nishchal apna kaam karna laga. Isi tarah din gujarte rahe. Sabhi apne apne kam mein vyast ho gaye. Us din ke baad Nishchal ne Sarita se baat karna kam kar diya tha. Wo bas utna hi bolta tha jab koi kaam hota tha use.

Usne to pahle hi soch liya tha ki wo Sarita ko khud se baat karne ke liye ya pyaar karne ke liye force nahi karega, par uski suraksha ke liye hamesha taiyaar rahega. Jab bhi Sarita ko uski jaroorat hogi wo hamesha uske sath khada rahega..

Sarita bhi uski ye harkat note kar rahi thi ki Nishchal ab usase pahle ki tarah ladta jhagadta aur baat nahi karta tha. Ye baat to satya hai ki agar aap kisi se ladte jhagadte rahte hain jabaran usase baat karte rahte hain aur achanak se aap usase ladna jhagadna chhod de. Baat karna kam kar dein to uske man mein curiosity aa jati hai ki wo aakhir aisa kyon kar raha hai.

Sarita ke man mein bhi ye baat aai ki Nishchal Aisa bartav kyon kar raha hai. Sarita Nishchal se is baare mein baat karna chahti thi, lekin usne ye sochkar avoid kar diya ki ho sakta hai koi important case ki wajah se wo pareshan ho, isliye uska bartav badal gaya ho aur doosri baat na poochne ki ye thi ki use dar tha ki kahi Pooch lene par Nishchal usko chhedne na lage is baat ko lekar. Isliye usne Nishchal se kuchh bhi baat nahi ki iske bare mein.

Aise hi din bitate rahte hain. Savita ki Shadi ke ab 20-22 din hi bache huwe the.

Is bich Nishchal ne Raghu se boss aur Sarkaar ke bare mein jankari jutani chahi usase puchh thachh bhi ki lekin raghu ne apna munh nahi khola. Bachha singh bhi abhi nishchal ki pakad mein nahin aaya tha.

Idhar Savita ne Apni Shadi ke kuchh cards RaghaV KO BHEJE THE TAKI WO NGO mein cards pahucha sake. Savita ne Sarita ko phone karke shadi mein aane ke liye bol diya tha. Sath mein Wo Raghav ke sath aayegi aisa Sarita ko bata diya tha. Raghav ne Sarita ko NGO Chalne ke liye kaha to Sarita bhi waha jane ke liye taiyar ho gayi.

Shaam ko Raghav PS pahuch gaya. Sarita Raghav ke sath NGO chali gayi. Waha bachho se milkar Use bahut Acha laga. Sarita Sabhi bachho ke liye Chocolates aur fal le gayi thi. NGO mein kuchh der rukne ke baad Sarita Aur Raghav NGO se bahar nikle. Raghav ne Sarita se kaha.

Raghav- Agar aapko koi dikkat na ho Sarita ji to kya ham khana khane ke liye Restorent chal sakte hain.

Sarita- (muskurate huwe) Nahi mujhe koi dikkat nahi hai. Chaliye chalte hain.

Raghav- (Muskurate huwe) Chaliye fir. Main Nishchal ko bhi bula leta hoon.

Sarita- Ham dono hi chalte hain na. waise bhi Sir Abhi room par aaye hi nahi honge.

Raghav- Haan ye to sahi kaha apne. Fir bhi ek baar pooch leta hoon. Agar wo free hoga to aa jayega. Waise bhi wo akela hi hai, ham dono ki company milegi use to use bhi achha lagega.

Sarita- Lekin Sir to bahar ka khana khate hi nahi hain.

Raghav- Haan khata to nahi hai bahar ka khana, lekin kabhi kabhi to ye sab chalta rahta hai. main usko phone karke poochta hoon ki wo kaha par hai aur hamare sath aayega ya nahi.

Sarita- Thik hai pooch lijiye.

Raghav ne Nishchal ko phone kiya aur usase baat ki. Fir Sarita Aur Raghav Restorent pahuch jate hain. Thodi hi der baad Nishchal bhi unhe join karta hai. Nishchal Aakar Un dono ke sath baith gaya aur Sarita ki taraf dekha jo use hi dekh rahi thi. Par Nishchal ne koi Reaction nahi diya. Raghav ne Nishchal se pooochha.

Raghav- To Bhaai. Kitne din ki chhutti le rahe ho di ki shadi mein.

Nishchal- 4-5 dino ki.

Raghav- Kya. Sirf 4-5 dino ki.

Nishchal- Hmmmmm. Kaam bahut hai is bich. Abhi Raghu ka case bhi thik se solve nahi huwa hai. Use chhudane ke liye neta aproch kar raha hai aur upar se bhi pressure pad raha hai. Use chhodne ke orders milne lage hain. Department ka kya haal hai ye to tum jan hi rahe ho. main nahi chahta hoon ki Amit jaisa koi banda fir se aisa kuchh kare. Isliye main koi risk nahi lena chahta hoon.

Raghav- Haam main sab samajh raha hoon, lekin tum ye bhi to samjho ki di ki shadi to baar baar nahi hogi na. tum aise kaise di ki shadi attend nahi karoge.

Nishchal- Kisne kaha ki main di ki shadi attend nahi karunga. Main mana thodi kar raha hoon di ki shadi mein aane se. mehndi wale din to main pahuch hi jauga uske baad se sara kaam dekhunga.

Maine papa se baat ki thi iske bare mein to unhone kaha tha ki tum aur papa sab sambhal lenge. Jab tum ho to mujhe chinta karne ki koi jaroorat nahi hai. Di mujhse jyada tumhare kareeb hai. mujhe pata hai ki tum mujhse jyada in sabki jimmedari achhe se sambhal loge.

Raghav- Hmmmm. Wo sab to main sambhal hi lunga. Main to bas isliye pooch raha tha ki tum di ki shadi ki sari rashmo mein samil ho pao. Nahi to di naraz ho jayengi.

Nishchal- Aisa kuchh nahi hoga. Main di ki shadi ki sari rashmo mein samil hounga aur waise bhi di mere na shamil hone se chane naraz ho ya na ho. lekin tumhare na rahne se wo naraz jaroor ho jayengi. Main di se iske bare mein baat kar lunga.

Abhi ye sab baat kar hi rahe the ki Tabhi waiter khana lekar aa gaya. Tino milkar khana khane lage. Khana khate khate Raghav ne Sarita se poochhaa.

NISHCHAL- Aap kab tak di ki shadi mein jayengi.

Sarita- Maine to abhi se hi chhuttiyo ke liye apply kar diya hai. Sagai mein to nahi ja paai thi lekin is baar jaroor jaungi aur Achha khasa 10 din di ke sath bitaungi. Warna di iske liye bhi mujhse sunayengi. Main di ko aur jyada naraz nahi karna chahti hoon. Specialy tab jab di ki shadi ho rahi hai.

Raghav Sarita ki baat sunkar hanste huwe bola.

Raghav- Hmmmm Sahi hai. di ne apna itna khauf failaya huwa hai ki inspector Sahiba bhi di se darti hain. (apne man mein) Ek ye hain jo 10 din pahle se hi ja rahi hain aur ek meri wali hai jise mujhse koi matlab hi nahi hai. kitni baar bol chuka hoon ki 10 din pahle se hi wo bhi aa jaye. Lekin nahi maharani ke hajaro nakhre hain.

Sarita- Hmmm wo to hai hi... par usase jyada main di ki respect karti hoon. Aakhir mujhe is Shahar ne ek badi bahan jo di hai.

Nishchal Dono ki baat sunkar Apna sir niche kiye huwe muskura raha tha. Raghav ne Sarita ki baat sun-ne ke baad kaha.

Raghav- Waahhh ye baat to aapne bahut sahi kahi hai.

In dono ki bato par viram lagate huwe nishchal ne kaha.

Nishchal- Mera khana ho gaya hai. main ab jata hooon. Tum log aaram se khana kha kar aana.

Raghav- Par tumne kuchh khaya hi nahi abhi tak. Kab se dekh raha hoon ki ek papad hath mein pakde huwe baithe ho.

Nishchal- Tumhe to pata hai ki main bahar ka khana nahi khata. Wo to tumne itne pyaar se bulaya ki main mana nahi kar paya.

Ye baat Nishchal ne Sarita ki taraf dekhte huwe kahi thi. JIse Raghav ne dekh liya aur muskurate huwe bola.

Raghav- haan mujhe pata hai bhaai ki tum fitness par bahut dhyan dete ho, lekin kabhi kabhi bahar ka khana kha lene se tumhari fitness par koi asar nahi padega. Tum kisliye aaye ho ye mujhe achhi tarah se pata hai.

Nishchal Raghav ki baat sunkar use ghoor kar dekha. Use dar tha ki kahi Sarita Raghav ki is baat par apna sawal ne daag de isliye Nishchal ne baat badalte huwe apne dole dikhate huwe bola.

Nishchal- Ye body yuun hi nahi banai hain maine. Bahut mehnat lagi hai ise banane mein. . aur tum jyada kanoon mat jhado chupchap khana khao.

Raghav- (hath jodkar) Thik hai mere baap jaise aap kahe.

Nishchal- (muskurakar) tum log khana khao main bill pay kar deta hoon.

Sarita- (bich mein) Nahi bill aap pay nahi karenge. Bill main pay karungi.

Nishchal- Kya ho gaya agar bill maine pay kar diya to.

Sarita- Nahi aap apni marji se yaha nahi aaye the. Aapko yaha laya gaya tha. Mera matlab hai ki aapko yaha Raghav ji ne bulaya tha to isliye bill main pay karungi.

Nishchal- Haan to Raghav mera bhaai hai aur usne mujhe bulaya hai to bhaai ka bill bhaai pay karega.

Sarita- Agar Raghav Ji aapke bhaai hain to mere bhi dost hain. To ek dost ka bill ek dost pay karegi..

Nishchal- Ya kya logic hai bhala. Mere bhaai ko jabardasti apne dost bana liya tumne.

Raghav chupchap khana khate huwe in dono ki baat sun raha tha. Jab usase raha na gaya to usne kaha.

Raghav- Aap dono shant ho jaiye. Nishchal ko aur aapko maine khane liye invite kiya hai to bill main pay karunga.

Sarita- Aap shant rahiye Raghav ji. Bill koi pay nahi karega. Bill main pay karungi. Ab iske bare mein koi baat nahi hogi.

Nishchal- Aise kaise baat nahi hogi. Bill main pay karunga.

Nishchal ki baat sunkar Sarita kuchh bolne ko hui tabhi Sarita ko thaska lag gaya. Jisase use khansi aa gayi. Nishchal turant uske paas pahuch gaya aur pani ka gilas use pakdane laga. Sath ki Nishchal Sarita ki pith ko sahlane laga. Thodi der baad jab Sarita ki khansi ruki to usne Nishchal ke hatho se gilas lekar pani pine lagi.

Sarita pani pine lagi to Nishchal ne use ghoorte huwe kaha.

Nishchal- Tum chupchap khana nahi kha sakti thi kya. Har baat mein bahas karna jaroori hai.

Raghav- Are bhaai. Sarita ji to kab se chupchap hi kha rahi thi. Abhi to kuchh bola tha unhone lekin tum ho ki bahas karne lag gaye. Coll down bhaai. Thoda sa pani pi lo. Dimag Thanda ho jayega.

Raghav ki baat sunkar Nishchal ka dhyaan pani ki gilas par gaya jo is samay Sarita ke hath mein the. Gilas dekhkar Nishchal man mein bola.

Nishchal- Ohhh Sitttt. Isne to mera jhootha bhi pi liya. Ab iske liye bhi mujhe sunayegi. Aisa karta hoon ki dhire se nikal jata hoon. Isase pahle ki uska dhyaan is baat par jaye.

Nishchal- Main ja raha hoon. Tumhara hi man hai payment karne ka to tum kar dena

Raghav usase kuchh kahta isase pahle hi wo chala gaya. Ye dekhkar Raghav ne kaha.

Raghav- Iska kuchh nahi ho sakta. 2 minute aur nahi baith sakta tha. Sath mein hi nikalte yaha se. ham logo ka khana to finish hi hone wala tha.

Sarita- Aap unhe chhodiye aur khane par apna concerntration rakhiye.

Iske baad dono chupchap khana khane lagte hain. Khana khana khane ke baad jab dono bill mangte hain to waiter kahta hai ki unke bill ka payment ho gaya hai. ye sunkar Sarita ne munh banate huwe kaha.

Sarita- Mujhe pata tha ki ye aisa hi kuchh karne wale hain. Itni aasani se to ye man-ne wale the nahi.

Raghav- Chaliye Hame kya. Bill koi bhi de. Hame to khane se matlab hai.

Ye kahkar Raghav hansne laga. Uske sath sath Sarita bhi hansne lagi. Sarita ne Ragahv se poocha.

Sarita- Aap kahan jayenge abhi.

Raghav- Abhi to main Nishchal ke pass ja raha hoon. Kal subah ghar ke liye niklunga.

Sarita- Thikk hai fir Chaliye chalte hain.

Itna kahkar dono Restorent se bahar nikle aur apne apne raste chal diye.

Raat mein jab Nishchal ghar aaya to Raghav ne use Phone par Savita ki shadi ki kya kya arrangement karni hai wo sab dikha raha tha. Arrengement dikhate huwe Raghav ne kaha.

Raghav- Jo sahi lag raha ho wo bata do. Main use hi done kar dunga.

Nishchal- Jo Tumhe sahi lage wahi final kar do bhai.

Raghav- Thik hai jaisa tum kaho, ek baar papa se bhi iske bare mein baat kar lunga uske baad final karunga.

Nishchal- Hmmmmmm.

Nishchal ki baat sunkar Raghav ne muskurate huwe kaha.

Raghav- Waise Nishchal. Maine suna hai ki jutha khana khane ya jutha pani pine se pyaar badhta hai. Kya ye sach hai.

Raghav ki baat Nishchal ko bilkul bhi samajh mein nahi aayi ki Aakhir Raghav kahna kya chahta hai. kyonki abhi to baat Savita ki shadi ke arrangement ki ho rahi thi. to bich mein ye jutha khana pani ki baat kaha se aa gayi.

lekin kuchh pal baad jab use samajh mein aaya ki Raghav Resturant mein jo kuchh bhi huwa tha us baat ko lekar uska Mazak uda raha hai to Nishchal Takiya kheechkar use marne laga. Raghav ne apna bachav karte huwe kaha.

Raghav- Are bhaai bas kar. Meri baato ko itna seriously mat le.

Nishchal- Sale tune Itna Notice kar liya??

Raghav- to tumhe kya laga maine apni aankh band kar rakhi thi. tum sabkuchh chori chori hi kar loge.

Nishchal- Sach mein maine dhyan nahi diya tha. Jaldbazi mein pata hi nahi chala ki maine use apna pani wala gilas de diya hai.

Raghav- Hmmmm. Sahi hai. Ishq mein aise hi pata nahi chalta.

Nishchal- Sale tum mera Mazak uda rahe ho.

Raghav- Are nahi bhaai mai to kah raha tha ki jutha khane aur pine se pyaar badhata hai.

Nishchal- (mayus hokar) Pyaar hoga tab na badhega.

Raghav- (Use marte huwe) Mujhse jhooth bolta hai. Kya mujhe pata nahi ki tu Sarita ji se kitna pyaar karta hai.

Raghav- tu bhi na nira buddhu hi hai. Are main apni nahi uski baat kar raha hoon. Wo nahi karti mujhse pyaar aur main bhi nahi chahta ki main is mamle mein uske sath koi jabardasti karu.

Raghav- Koi baat nahi bhaai. Dil chhota mat kar tu. Kabhi na kabhi unhe bhi tumhare pyaar ka ehsah ho jayega. Pyaar ki shuruwaat aksar Ladai-jhagde aur galatfahmi se hi shuru hoti hai.

Nishchal- Haan Use tab ehsas hoga jab main budha ho jaunga.

Raghav- To isme koi burayi nahi hai. Tu budha ho jayega to wo Sarita ji kaun sa jawan rahengi. Wo bhi to budhi ho jayengi. Fir dono budhape mein ishq ladana.

Nishchal- Sale tu mujhse maar khayega ab.

Raghav- Achha ab nahi bolta kuchh bhi.

Iske baad dono idhar udhar ki baate karne ke baad apne apne kamre mein sone chale gaye.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 78[/color]

[color=rgb(51,]Agli subah Raghav Ghar ke liye nikal gaya. Is bich uski Manisha se kam hi baat hoti thi. Jiske karan Manisha usase naraz bhi ho jati thi, lekin Raghav kisi na kisi bahane use mana hi leta tha.

Subah Nishchal bhi uthkar naha dhokar apne kaam se chala gaya. Sarita bhi samay se PS pahuch gayi. din bhar kaam karne ke baad Sarita kuchh kharidne ke liye Ek shop par pahuchi. Wah waha kuchh saman le rahi thi tabhi Nishchal bhi waha aa gaya. Jab Sarita ne use dekha to chaukti hui boli.

Sarita- Aappp..???? Aap yaha kya kar rahe hain.

Nishchal- Kya kar raha hoon kya. Kya yaha aana mana hai?

Sarita- Nahi to.

Nishchal- To fir. Waise tum yaha kya kar rahi ho.

Sarita- Wo main di ke liye kuchh gift lene ke liye aayi thi.

Nishchal- Achha. To le lo di ke liye gift.

Sarita- Aap yahan par kya kar rahe hain.

Nishchal- (baat badalte huwe) Waise tum kab ja rahi ho?

Sarita- Kahan ??

Nishchal- Di ke paas.

Sarita- Shadi ke 10 din pahle hi jaungi.

Nishchal- Thik hai. tum apna saman le lo main baad mein aa jaunga.

Sarita- Are main kya najar laga dungi kya jo aap baad mein aakar le jayenge?

Nishchal- Kya pata. Tum laga bhi sakti ho.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar use ghoorkar dekha to wo waha se muskurate huwe chala gaya. Uske jane ke baad Sarita ne Savita ke liye kuchh gift kharide aur apne kamre par chali gayi.

Isi tarah do din aur bit gaye. Tisre din sham ko Nishchal ke paas Abhishek ka phone aaya.

Abhishek- DSP Sir. Maine Boss aur Sarkar ki tasweer bana li hai. aap jaldi se yaha par aa jaiye.

Nishchal- Thik hai main bahut jald aapke paas pahuchne ki koshish karta hoon.

Uske baad Abhishek ne Sarita ko phone kiya aur use bhi iske bare mein bataya. Sarita bhi PS se nikal kar Sidhe Nishchal ke doosre ghar pahuch gayi. Sarita ka pahuchne ke turant baad hi Nishchal bhi waha par pahuch gaya. Dono sath sath andar gaye. Andar jate hi Sarita ne Abhishek se poochaa.

Sarita- bhaiya. Kya aapne unki poori tasweer banayi hai.

Abhishek- maine us din tumko bataya tha na ki maine un dono ko kabhi nahi dekha. Bas jab wo dono Raghu ya Bachha singh se video call par baat karte the tabhi maine unhe dekha hai. tab bhi wo mask pahne rahte the. Jiske karan maine sirf mask se khula huwa hissa hi dekha hai. maine un dono ki mask mein hi tasweer banayi hai. ye dekho.

Itna kahkar Abhishek ne wo tasvir Sarita ko de di jo usne banayi thi. dono ne tasweer ko dekha usme sirf Aankhe hi bani hui thi. dono Tasweer Dyaan se dekhne lage. Dono Tasweer mein dono ki aankhe dekhkar Sarita Aur Nishchal use pahchan-ne ki koshish karne lage.

Nishchal dono Tasweer mein bani aankho mein ek ko lagbhag pahchan hi gaya lekin dusre mein use shak tha thoda. Ek tasweer ki aankho ko pahchan kar Sarita Nishchal ki taraf dekhne lagi.

Dono ke chehre ke expression badal gaye the. Nishchal ne Sarita ko dekhte huwe kaha.

Nishchal- Kya jo main soch raha hoon tum bhi wahi soch rahi ho. ye to ye to..

Sarita- Haan Sir. Ye to ... Aisa kaise ho sakta hai. aisa bilkul bhi nahi ho sakta.

Nishchal- mujhe bhi yahi lag raha hai ki Abhishek bhai ne jo tasweer banayi hai usme usase jaroor koi galti hui hai. Ye bilkul bhi nahi ho sakta.

Sarita- Bhaiya. Kya aapne tasweer mein jo aankhe banayi hai. ye aankhe usi insan ki hain. Jise Raghu aur Bachha Singh boss aur Sarkar bolte hain.

Abhishek- Haan Sarita. Main itne din se inki tasweer banane ki koshish kar raha hoon. Ek ek bariki ko yaad kar kar ke maine ye tasweer banayi hai. ye unhi dono ki tasweer hai jo apne aapko boss aur Sarkar kahte hain.

Nishchal- Lekin ye kaise ho sakta hai. Ye aankhein to Hubahu unse milti hain. Aapse jaroor kahi galti hui hai.

Sarita- Haan bhaiya mujhe bhi aisa hi lagta hai ki aapne jaroor koi galti ki hai. Aap ne jinki aankho ki tasweer banayi hai wo aisa kabhi nahi kar sakte.

Abhishek- Lekin maine jo Tasweer banayi hai ye final tasweer hai maine ek ek baat ko yaad karke itne din mein ye tasweer banayi hai. tasweer mein koi galti nahi hai. ye wahi dono hain jinke Aadesh par Raghu aur Bachha singh kam karte hain.

Nishchal- Main nahi manta is tasweer ko. Main Achhi tarah se janta hoon unhe. Wo kabhi aisa nahi kar sakte. Aapne jaroor kuchh mistake ki hai tasweer banane mein.

Sarita- Haan bhaiya is baat mein to main bhi Sir ke Sath hi hoon. Aapse jaroor kahi koi na koi galti hui hai. aap ek baar fir se sochkar. Achhe se yaad karke dobara tasweer banaiye. Mujhe poora bharosha hai is baar koi aur tasweer banegi.

Abhishek- Tum kah rahi ho to main ek baar aur koshish karta hoon, lekin fir bhi tasweer yahi banegi, kyonki maine har ek cheej bahut bariki se sochne ke baad hi ye Tasweer banayi hai.

lekin tumhari tasalli ke liye main fir se sochkar dobara tasweer banane ki koshish karta hoon.

Nishchal- Thik hai aap dobara tasweer banaiye. Ham ab chalte hain.

Sarita- Haan bhaiya. Aap apna dhyan rakhiyega. Main aapse milne ke liye aati rahungi. Aap mummy papa se baat kar liya kijiye.

Itna kahkar Sarita Nishchal ke sath ghar se bahar nikal aayi. Bahar aane ke baad Sarita ne Nishchal se kaha.

Sarita- Aapko kya lagta hai Sir ki bhaiya ne jo Tasweer banayi hai wo sahi hai ya galat.

Nishchal- Ye kaisi baate kar rahi ho tum. Tumhe bhi pata hai ki wo aankheon ki tasweer kiski hai. kya tumhe lagta hai ki wo aisa kuchh kar sakte hain. Mujhe to bilkul bhi nahi lagta. Tumhare bhaai se jaroor koi bhool hui hai tasweer banane mein.

Sarita- main janti hoon ki jiski tasweer bhaiya ne banayi hai unke bare mein main aisa soch bhi nahi sakti, lekin ab sochne wali baat ye hai ki bhaiya ne unhe bina dekhe unki aankho ki hubahu tasweer kaise bana di.

Nishchal- Kaise bana di ka kya matlab hai. Tasweer banate huwe kuchh galti ho gayi hogi. Jiske karan tasweer doosre ki ban gayi hai.

Sarita- Ho sakta hai jo aap kah rahe hain wo sahi ho, bhaiya bhi doosri tasweer banayenge to sab clear ho jayega.

Nishchal- Abhi tum iski chinta chhodo aur di ki shadi ko enjoy karo. Iske bare mein di ki shadi ke baad sochenge.

Iske baad dono apne apne kamre par chale gaye. Isi tarah din bit-te rahe. Dhire dhire Sarita ka Savita ke paas jane ka samay aa gaya. Savita ke paas jane ke ek din pahle hi Nishchal ne Sarita ko phone kiya aur kaha.

Nishchal- Tum kab nikal rahi ho.

Sarita- Subah ka jane ki soch rahi hoon.

Nishchal- nikalne ke pahle mujhe call kar dena main tumhe station drop kar dunga.

Sarita- Uski koi jaroorat nahi hai Sir. Aap pareshan mat ho. main chali jaungi. Dhanyawaad aapka jo aapne mere liye itna socha.

Nishchal- Agar main tumhe station tak chhod doon to tumhe problem kya hai??

Sarita- Mujhe koi problem nahi hai.

Nishchal- To tum kyon mana kar rahi ho.

Sarita- Meri marzi. Jab main ja sakti hoon to aap kyon kast kar rahe hain.

Nishchal- Thik hai jo tumhara man kar raha hai wo karo tum.

Itna kahkar Nishchal ne gusse se phone rakh diya. par thodi der baad jab uska gussa shant huwa to wo man mein bola.

Nishchal- Are yaar ye maine kya kar diya. nahak hi uspar gussa kar diya. ab to agar uska bulane ka man bhi karega ek baar ko to bhi wo nahi bulayegi mujhe. Main tanik bhi sabar kyon nahi kar pata hoon. Itni jaldi gussa kyon ho jata hoon.

Ab kya karu main. Agar dobara phone karunga to wo bhadak jayegi. Kya karu main. Aisa karta hoon Chhote miya ko phone kar leta hoon. Usi se phone karke train ka samay pooch leta hoo. Yahi sab sochkar Nishchal ne Manisha ko phone kiya.

Manisha- Yes boss. Bade din baad yaad kiya. Kaise ho.

Nishchal- Main badhiya hoon. Tum batao.

Manisha- Bahut achhi hoon. Koi kaam tha.

Nishchal- mujhe ye jan-na hai ki Sarita kis train se ja rahi hai aur uska samay kitne baje ka hai.

Manisha- Didiya se hi pooch lijiye. Wo bata degi.

Nishchal- Tumhari didiya tumhari tarah samajhdar nahi hai na. isliye to maine tumhare paas phone kiya hai.

Manisha- Achha. Iska matlab fir se aapki didiya ke sath kaha suni ho gayi hai. Chalo thik hai Aap bhi yaad rakhogi Jeeja ji ki kis dildar Sali se pala pada hai apka.

Nishchal- Jeeja ji. Ye kab bana main.

Manisha- Are bane nahi hain to ban jayenge. Bas apni koshish jari rakhiye. Main didiya ke jane ki information aapko whatsapp karti hoon. Bye.

Nishchal- Byee Choote miya.

Manisha Nishchal ko Sarita ke jane ki sari information bhej deti hai. Agle din Subah Nishchal taiyar hokar Sarita ke kamre ke bahar khada tha. Udhar Sarita bhi poori taiyari karke jaise hi apne kamre se bahar nikalti hai to samne nishchal ko khada pati pati hai. Nishchal ko dekhte hi Sarita ne kaha.

Sarita- Maine aapko mana kiya tha na ki main chali jaungi. Fir bhi aapko samajh mein nahi aaya??

Sarita ke kahne ka nishchal ke upar koi prabhav nahi pada, Nishchal ne bina Sarita ki baat sune hi uska Luggage apni gadi mein dal diya aur uska hath pakadkar use gadi main baitha diya. Jiske karan Sarita ko bahut gussa aaya aur usne kaha.

Sarita- Ye kya badtamizi hai?? Aap aise nahi kar sakte mere sath. Main ye sab bilkul bhi bardast nahi karungi. Aap apni had mein raha kariye.

Sarita ki baat ka Nishchal ne koi jawab nahi diya aur chupchap gadi start karke aage badha di. Sarita ne Nishchal ke kuchh na bolne par Aur jyada gussa ho gayi aur boli.

Sarita- Aapko kuchh sunayi nahi de raha hai kya. Bahre ho gaye ho kyaa?? Main aapse kuchh pooch rahi hoon.

Nishchal ne uski baat ka koi jawab nahi diya aur chupchap gadi drive karta raha. Jiske karan Sarita ka gussa fat pada aur wo chillate huwe boli.

Sarita- Are yaar main aapse baat kar rahi hoon. Aapko sunayi nahi de raha hai kya. Aap ye sab kyon kar rahe hain. Jabki maine aapko mana kiya tha ki main chali jaungi. Fir bhi aapko samajh mein nahi aata. Aakhir aap chahte kya hain mujhse. Kyon kar rahe hain aisa.

Is baar Nishchal ne Sarita ke baat par usase bhi jyada tez aawaz mein kaha.

Nishchal- Main pyaar karta hoon tumse dam it. Bahut pyaar karta hoon. Isliye tumhari care karta hoon. Mujhe tumhari bahut parwah hai. Jab tum samne hoti ho to duniya haseen lagti hai aur jab tum mujhse door jati ho to meri duniya weeran ho jati hai.

Tumhe pata nahi ki jab tumhe koi nuksan pahuchane ki koshish karta hai to meri kya halat ho jati hai. meri jaan nikal jati hai. Lekin tum ho ki tumhe mere pyaar ka ehsas hi nahi hai. Aakhir tum mere pyaar ko kab samjhogi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ka munh khula ka khula rah gaya. Wo hairani aur gusse se Nishchal ko dekhne lagi. Jabki Nishchal ne ye sari baat samne ki taraf dekhte huwe kahi thi. Uski himmat nahi ho rahi thi Sarita se najar milakar baat karne ki. Sarita ne gusse bhari aawaz mein nishchal se kaha.

Sarita- Gadi rokiye. Maine kaha gadi rokiye.

Nishchal ne Sarita ki baton ka koi jawab nahi diya aur bola.

Nishchal- Are yaar tum pagal ho gai ho kya. Tumhein meri itni si baat samajh nahi aati ki main tumse pyaar karta hoon. Bahut jyada pyaar karta hoon. Had se jyada pyaar karta hoon. Tumhein kaise bataun main kaise ehsas dilaun main tumhein apne pyaar ka. Kab samjhogi tum mere pyaar ko.

Ye sab bolte huwe wo apni dhun mein gadi chalata raha. Ye dekhkar Sarita ne Nishchal ke hath par marte huwe kaha.

Sarita- Maine kaha gadi rokiye.

Nishchal- Par kyon??

Sarita- Bas aise hi.

Nishchal- Are yaar tum fir se shuru ho gayi. Jao nahi rokta gadi. Jo karna hai kar lo.

Sarita- Main aakhiri baar kah rahi hoon. Gadi rokiye warna aChha nahi hoga.

Nishchal- Jao nahi rokta kya kar logi.

Sarita- Agar aapne gadi nahi roki to main Gadi se kood jaungi.

Sarita ki baat sunkar Nishchal hansne laga. Use hansta dekhkar Sarita ko aur bhi gussa aane laga. Wo nishchal se boli.

Sarita- Aise dant kyon dikha rahe hain maine koi jok mara hai kya.

Nishchal- Ye jok nahi to aur kya hai. Gadi lock hai to tum koodogi kaise.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne gusse se apna munh fer liya. Ye dekhkar Nishchal muskurate huwe gadi chalata raha. Thodi der mein hi station aa gaya to Nishchal ne gadi roki aur gate unlock kiya. Sarita turant gadi se niche utar gayi. Nishchal ne thodi tez aawaz mein Use chidhate huwe kaha.

Nishchal- Are madam badi jaldi hai tumhe jane ki. Pahle saman to utha lo.

Sarita- Wo Sab kaam baad mein karungi main, uske pahle mujhe kuchh baat karni hai aapse.

Nishchal- Main to tumse baat karne ke liye hamesha taiyaar hoon.

Sarita- Gadi mein aapne kya bola tha.

Nishchal- Kya bola tha maine. Main to poore rashte chupchap gadi chala raha tha.

Sarita- Jaan kar bhi anjan ban-ne ki koshish mat kijiye Sir. Aapko pata hai ki main kiske baare mein baat kar rahi hoon .

Nishchal- 'Kiss' ke bare mein??

Sarita- (aankh dikhakar) Sir Apni had mein rahiye aap.

Nishchal- Are yaar jab tak tum mujhe bataogi nahi tab tak mujhe pata kaise chalega ki tum 'kiss' ke bare mein baat kar rahi ho.

Nishchal ne 'Kiss' ke par bahut jor diya. Sarita ne use ghoorkar dekha aur kaha.

Sarita- Gadi mein wo aap Kya pyaar, Care and all. Ye sab kya bol rahe the.??

Nishchal- Achha. Tum is baare mein baat kar rahi ho. Haan maine ye bola, Kyonki yahi sach hai.

Sarita-(gusse se) Dekhiye Sir. Main aapko bata doon ki mujhe in sab bato mein koi interest nahi hai. Jab tak main apne goal ko acheave nahi kar leti tab tak mujhe in sabke bare mein sochne ke liye samay nahi hai. to plz aage se mujhse aisi baate mat kariyega.

Nishchal- To main kab bol raha hoon ki tum in sab mein Interest lo, lekin mera interest to inhi sab mein hai.

Sarita- To fir aap dobara mujhse aise baat mat boliyega.

Nishchal- (muskurakar) kaisi baat Miss Joshi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita use ghoorkar dekhne lagi. Aur dant piskar rah gayi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 79[/color]

[color=rgb(51,]Nishchal ki baat sunkar Sarita use ghoorkar dekhne lagi. Aur dant piskar rah gayi. Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- Agar aise hi tum mujhe ghoorkar dekhti rahi to aaj tumhari train chhoot jayegi.

Sarita- Agar aapne mujhse Dobara us tarah ki baatein ki to main aapse kabhi baat nahi karungi. Yaad rakhna.

Sarita ki baat sunkar Nishchal badbadane laga.

Nishchal- Isase pyaar karne se achha tha ki main kisi bandariya se pyaar kar leta. Kam se kam mere liye idhar se udhar chhalang to lagati, uchhal kood to karti, Meri kismet hi kharab thi jo main is lady don ke chakkar mein fans gaya, Soch Nishchal Kuchh Soch.

Jaldi se apna dimag chala. Koi bahana bana nahi to ye lady don aaj ke baad baat bhi nahi karegi tujhse. Jaldi se apne dimag ke ghode dauda Nishchal.

Nishchal ko apne aapme badbadata dekha Sarita ko gussa aa gaya aur wo chillakar boli.

Sarita- Ye kya apne aapme badbadaye ja rahe ho aap. Main aapse hi baat kar rahi hoon aur aap apne mein hi busy hain.

Nishchal- Tum kis baat ke bare mein baat kar rahi ho mujhe to kuchh samajh mein nahi aa raha hai.

Sarita ne Nishchal ki baat sunkar apna Sir pit liya aur kaha.

Sarita- Poori ramayan khatam ho gayi aur aap pooch rahe hain ki Sita ji ke pati ka kya naam tha.

Nishchal- Kya naam tha.

Sarita- Sirrrrrr.

Nishchal- Dekho Miss yuun gol-gol baat ko ghumakar mujhe confuse mat karo. Batana ho to batao, nahi batana hai to mat batao, lekin ye ramayan aur Mahabharat ko bich mein mat ghusao.

Sarita- Thik hai fir suniya aap. Aapne gadi mein kaha tha ki Aap mujhse pyaar karte hain isliye meri care karte hain. Main door chali jati hoon to aapki zindagi viran ho jati hai. aapke paas rahti hoon to aapki zindagi haseen ho jati hai. ye sab kya hai. Aapko pataa hai na ki mujhe ye sab bilkul pasand nahi hai.

Nishchal ne ab tak apna dimag laga liya tha ki use kya kahna hai, isliye Sarita ki baat sunkar wo jor jor se hansna laga. Nishchal ko hansta dekhkar Sarita ne gusse se kaha.

Sarita- Aap aise munh fad kar kyon hans rahe hain maine koi jok mara hai kya.

Nishchal- (hanste huwe) Ye jok nahi to aur kya hai. main aur tumse pyaar...hahahahaha.

Itna bolkar Nishchal fir hansne laga. Sarita ne use ghoor kar dekha to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Mujhe to ye sochkar hansi aa rahi hai ki main aur tumse......hahahahaa.. apni shakal dekhi hai kabhi aaine mein... hahahahha.

Sarita- Kya huwa hai meri shakal koo. Main thikk hoon. Lekin aap ne gadi mein kyaa bola tha aur kyon bola tha wo sab mujhse.

Nishchal ne Sarita ki baat sunkar apne kan ki taraf ishara karte huwe kaha.

Nishchal- Achha Wo. Wo to main Phone par kisi se baat kar raha tha.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne Aage badhkar Nishchal ke kan mein dekha to Nishchal ke kan mein bluetouth laga thuwa tha. Ab Sarita ko bada Akward feel hone laga. Sarita apna Sir niche jhukakar Muskurane lagi aur man hi man sochne lagi.

Sarita- Main bhi kitni badi murkh hoon. Har baar main kuchh aisa kar deti hoon jiski wajah se mujhe Sir ke samne Sharminda hona padta hai. Sir bhi pata nahi kya soch rahe honge mere bare mein.

Udhar Nishchal Sarita ko aise sharmata huwa muskurata huwa dekhkar muskura raha tha. Kuchh pal Sarita ko dekhne ke baad Nishchal ne kaha.

Nishchal- Agar aapka Sawal jawab ho gaya ho to aap apne gantavya ki or prasthan karein. Anyatha aapki gadi aapko chhodkar chali jayegi.

Nishchal ki baat sunkar Sarita muskurane lagi aur kan pakadkar Sorry bolne lagi.

Sarita- Maaf karna Sir. Wo thodi si mis under standing ho gayi thi. isliye mujhse aisi galti ho gayi.

Nishchal- hmmmmm koi baat nahi hai par aage se is baat ka dhuyan rakhna ki mujhe kuchh bhi ulta siddha mat kahna.

Sarita- (Agyakari Bachho ki tarah) Ji Sir, Ab main jaun.

Nishchal- hmmmmm. Call kar dena pahuch kar aur agar wo bhi na ho sake to massage kar dena. Aur agar ye bhi na ho sake to di ko bol dena mujhe bata dengi.

Sarita- (Muskurakar) Hmmmmm, bye

Itna kahkar Sarita chali gayi. Uske jate hi Nishchal chain ki sans lete huwe bola.

Nishchal- Thank god. Aapne to aaj bacha liya. Jyada nahi samjhana pada varna mujhe to laga tha ki aaj mata kali ka roop le leti ye. Par ye to bahut sidhi hai yaar. Bilkul bhi chalak nahi hai, jo bol diya wo maan leti hai. lekin ek baar ko to halat kharab kar hi deti hai. par jo bhi ho. I love her so much.

Yahi sab sochte huwe Nishchal wapas apne ghar aa gaya aur nashta karke office chala gaya.

Waha Sarita bhi 4-5 hours ki yatra karne ke baad Kanpur pahuch gayi thi. Sarita ne pahuchte hi Nishchal ko call karke bata diya tha ki wo pahuch gayi hai. Manisha bhi Sarita ke pichhe pichhe waha pahuch gai,

kyonki Sarita ke mummy papa ka plan shadi ke ek din pahle aane ka tha aur Sarita ke jane ke karan Manisha zid kar rahi thi, isliye Aanand ji aur Rani ji ne use bhej diya tha. Jab Savita ne dono ko Dekha to use bahut Khushi hui aur usne dono ko gale lag aliya.

Savi- Mujhe to pata tha ki Sarita aa rahi hai, lekin tumne to mujhe surprise kar diya Manisha.

Manisha- didi. Ye meri taraf se aapko aapki shadi ka gift tha.

Savi- (gale lagte huwe) Itne saste mein nahi nipatne dungi tumhe main. Mujhe apni shadi ka gift chahiye tumse samjhi.

Savita ki baat sunkar Manisha ne palatwaar karte huwe kaha.

Manisha- Abhi main kama thodi rahi hoon jo aapki gift doongi. Jab main kamane lagungi to aapko aapka gift mil jayega.

Savi- Chalo thik hai. ab chalo tum log aaram kar lo. Baate to baad mein bhi hoti rahengi. Main tum logo ko room mein le chalti hoon.

Dono ne sabse pahle Mahendra ji aur Naina ji ke pair chhuwe aur Savita ke pichhe pichhe kamre mein chali gayi. Manisha yaha aa to gayi thi lekin usne apne aane ke bare Raghav ko kuchh nahi bataya tha ki wo aa rahi hai aur Raghav bhi kaam ke chakkar mein itna jyada vyast tha ki wo Manisha se jyada baat bhi nahi kar pa raha tha. Kuchh der baad Raghav kahi bahar se aaya aur Nishchal ke papa Shri Mahender Singh ke paas gaya aur bola.

Raghav- Papa ji. Ye Sari list hai jo aapne mangwayi thi.

Mahender- Thik hai beta. Ab tum bhi jao aur thoda aaram kar lo. Subah se kaam kar rahe ho thak gaye hoge. Aur haan kal shaam ko buwa ji aa jayengi to unhe tum samay se lene ke liye station chale jana.

Unka gussa to tum jante hi ho. Agar Time se lene nahi pahuche to poora station Sir par utha lengi. Main tumhe aaj isliye bata raha hoon ki ho sakta hai kaam ki wajah se mujhe dhyan na rahe to kam se kam tumhe to dhyan mein rahega hi.

Raghav- Thik hai papa. Armesh bhaiya ka phone aaya tha. Unhone bataya tha ki buwa ji aa rahi hain. Main chala jaunga unko lene Agar unhe mujhse koi dikkat na ho to. Papa Sarita ji bhi aane wali thi aaj. Kya wo aa gayi hain.

Mahendra- haan Sarita aa gayi hai. Aur buwa ji ki tum chinta mat karo. Wo ab pahle se bahut badal gayi hain. Tumhe kuchh nahi kahengi wo. Bas tum samay se chale jana.

Raghav- Thik hai papa ji. Jaisa aap kahe.

Itna kahkar Raghav Apne kamre mein chala gaya. Apne kamre mein pahuchkar wo apne bister par late gaya. Bister par letne ke baad Raghav ko Manisha ki yaad aayi to usne apna phone nikala to usne dekha ki Manisha ki 5 miss call padi hui thi. Usne turant phone Manisha ko mila diya. Phone udhar se uthate hi Raghav ne kaha.

Raghav- Kahan ho tum??

Manisha- Ghar mein hoon.

Raghav- Tumhari bahan to aa gayi hai. tum kab aane ki jahamat uthaogi.

Raghav ki baat sunkar Manisha ko shararat sujhi aur usne kaha.

Manisha- Wooo. sorry main nahi aa paungi. Mummy aur papa jayenge didi ki shadi mein.

Raghav ne jaise hi ye suna use gussa aa gaya aur usne Manisha se kaha.

Raghav- Thik hai mat aao. Meri to kisi ko fikar hi nahi hai. Mujhe koi baat nahi karni tumse ab.

Manisha- Are meri baat to...

Iske aage Manisha kuchh bolti tab tak Raghav ne phone cut kar diya. Phone cut ho jane ke baad Manisha ne kai baar phone try kiya lekin har baar Raghav phone cut kar deta tha. Ye dekhkar Manisha ke chehre par muskurahat aa gayi aur wo boli.

Manisha- Raghav babu main aa rahi hoon tumhare paas. Mujhe tumhare chehre par Muskan dekhni hai isliye maine tumse jhooth bola hai.

Itna kahkar Manisha kamre se bahar nikal gayi aur ghar mein kaam karne wale ek mulajim se Raghav ke kamre ke bare mein poochha aur Raghav ke kamre ki taraf chali gayi. kamre ka darwaza khula huwa tha. Manisha darwaze par khadi hokar dhire se boli.

Manisha- Raghav, O Raghav babu.

Raghav ne ye aawaz suni, lekin use laga ki wo Manisha ko itna yaad kar raha hai isliye shayad uske kan baz rahe hain isliye usne ise ignor kar diya. abhi kuchh hi pal huwa tha ki Manisha ne phir se use pukara.

Manisha- Raghav babu.

Abki baar Raghav apne bister se uthkar baith gaya aur jab darwaze ki taraf dekha to waha par Manisha khadi thi. use apni aankho par wiswas nahi huwa to usne dono hantho se apni aankho ko mala aur darwaze ki taraf dekha to use Manisha waha par khadi dikhayi di.

Ye dekhkar Raghav daudkar Manisha ke paas gaya aur use chukar uski wastvikta ko dekhne laga to Manisha ne uske hath par marte huwe kaha.

Manisha- Ab yakeen huwa.

Jab Raghav ko yakeen ho gaya ki Samne Manisha khadi hai to Raghav ne Manisha ko kaskar apne gale laga liya. Raghav ke gale lagate hi Manisha ke dil ki dhadkane tez chalne lagi. Thodi der baad Raghav ne use apne se alag kiya aur uske galo ko chum liya, Manisha ke gaal sharam ke mare laal ho gaye the.

Raghav ki chhuwan se uske sharir mein sihran si dhaud gayi. fir bhi aaj use achha lag raha tha. Manisha ne Raghav ko aankh dikhate huwe kaha.

Manisha- Are ye kya kar rahe ho.

Raghav- Sorry.

Manisha- Sorry kyon.

Raghav- Wo tumhe yaha dekhkar main bahut jyada khush ho gaya tha, isliye tumhe bina izazat chum liya.

Manisha- (natak karte huwe) I am not Accepting your Sorry..

Raghav- (udas hokar) Sorry. Sach mein mera aisa koi irada nahi tha. Plz is baar maaf kar do. Dobara aisa nahi hoga.

Raghav ki baat sunkar Manisha hansne lagi. Manisha ko hanste dekh Raghav samajh gaya ki Manisha use pareshan karne ke liye aisa bol rahi hai. Isliye wo Manisha se bola.

Raghav- Ruko abhi batata hoon tumhe main.

Itna kahkar Raghav apna chahra Manisha ki taraf badhane laga to Manisha ne use dhakka de diya aur jane lagi. Tabhi Raghav ne uska hanth pakadkar Jhatke se apni or kheech liya. Jisase Manisha uski baho mein sama gayi. Raghav uske kan ke paas apna munh lakar kahta hai.

Raghav- Tum kab Aayi. Mujhe bataya bhi nahi aur phone karne par bol rahi thi ki tum aaogi hi nahi.

Manisha- Agar pahle hi bata deti Raghav babu to aapke chehre par ye jo noor chamak raha hai wo kaise dekh pati.

Raghav- Achha ye baat hai.

Manisha- Haan yahi baat hai.

Manisha ki baat sunkar Raghav ne uska chehra apne hatho mein bharte huwe kaha.

Raghav- Tumhe pata hai jab tumne ye kaha ki tum didi ki shadi mein nahi aa rahi ho to mujhe kitna gussa aaya tha.

Manisha- (hanste huwe) Mujhe to nahi pata ki tumhe kitna gussa tha. Tumhi bata do.

Raghav- Achha to tumhe ye sab Mazak lag raha hai. yaha tumhare na aane ki khabar sunkar meri jaan hi nikal ja rahi thi.

Manisha- Aahhahahahaaaa.. bade aaye jaan hi nakal ja rahi thi. agar meri itni hi fikar thi to mera phone kyon nahi utha rahe the. Pata hai maine kitna phone kiya tumhe.

Raghav- Sorry yaar. Tumhe to pata hai ki di ki shadi ki jimmedari ke chalte mujhe samay nahi mil pa raha hai. Nishchal ke na hone se sara kaam mujhe hi dekhna pad raha hai.

ghar mein itne naukar chakar hain, lekin papa ka kahna hai ki di ki shadi mein naukar chakar wahi karenge jo unka kam hai baki ki shari jimmedari ham logo ko hi uthani hai, papa bhi sahi kah rahe hain isliye main bhi nahi chahta ki papa ko shikayat ka mauka mile.

Manisha- Achha koi baat nahi. Ab main aa gayi hoon na to main bhi tumhare sath har kaam mein hath bataungi.

Raghav- Are nahi iski koi jaroorat nahi hain main manage kar lunga.

Ye sunkar Manisha ne uske munh par ungli rakh diya aur kaha.

Manisha- ssssshhhhhhhhh. Ab tum kuchh nahi bologe.

Manisha ki baat sunkar Raghav bas muskurakar rah gaya.

Sarita bhi jab se Aai thi thodi der aaram karne ke baad ghar ke sare kam mein hath bata rahi thi. tabhi Naina ji ne kaha.

Niana ji- Are beta tum kyon itna pareshan ho rahi ho. yaha par aur bhi bahut log hain sab kar lenge.

Sarita- Aunty ji. Isme pareshan hone wali kaun si baat hai. Aise khali baithne se achha hai ki kuchh kaam hi kar liya jaye. Isase boriyat bhi mahsoos nahi hogi aur kaam mein bhi madad ho jayegi.

Naina- Wo to thik kah rahi ho tum beta, lekin abhi tum jao aur Savi se bate karo. Yaha sab kuchh manage ho jayega.

Sarita ne bhi Naina ji ki baat ko talna sahi nahi samjha aur waha se Savita ke paas chali gayi. Niana ji ne apne pati Mahendra ji se kaha.

Naina ji- Dekha aapne. Dono bachhiya jab se aayi hui hain tab se kaam mein lagi hui hain. Manisha to Raghav ke sath uske kaam mein hath bata rahi hai aur Sarita bhi ghar ke sare kaam dekh rahi hai. Mujhe to aisa lag raha tha ki Nishu ke bina Raghav Akela pareshan ho jayega, lekin Sab kaam kitna Achhe se ho raha hai. bhagwan kare aage bhi sab kaam achhe se ho jaye.

Mahendra ji- Sab Achhe se hi hoga, ye to tum sahi kah rahi ho ki jab se dono bachhiya aayi hain tab se kaam par hi lagi hui hain. Aise lag raha hai jaise inhi ke yaha par sara function ho raha hai.

Achha Haa. Wo Allahabad wali buwa Aa rahi hain to thoda dhyan se sab karna. Unki khatirdari mein koi kami nahi rahni chahiye. Nahi to khamkhah bakheda khada kar dengi.

Naina- Main poora dhyan rakhungi ki unko koi bhi pareshani na ho.

Aise hi kaam dhaam karte huwe ye sara din gujar jata hai. Agale din bhi subah se sabhi log kaam mein lage huwe the. Sabhi thoda samay nikal kar dance ki practice bhi kar rahe the. Aakhir kare bhi kyon na Shadi ko bas ab gine chune kuchh hi din bache huwe the.

Anant ka pariwar bhi Lucknow se Kanpur aa gaya tha jo paas ke ek hotal mein sift ho gaye the. Anant ke papa to Shadi ke din hi aana chahte the, lekin Mahendra ji ke vishesh Aagrah par Wo kuchh din pahle hi Kanpur aa gaye tha apne Rishtedaro ke sath.

Mahendre ji Unhe apni haweli mein hi rukne ke liye bol rahe the, lekin Anant ke papa ne Saaf mana kar diya. Unka kahna tha ki Wo sidhe barat lekar hi unke yaha par aayenge.

Haldi ka karyakram to alag se hona tha, lekin Sangit ka karyakram dono pariwar walo ke sath mein hi hona tha. Dance Practice ke dauran Manisha ne Savi ko chhedte huwe kaha.

Manisha- Didi. Ham log aapke sasural walo ko dance mein hara denge.

Savi- Wo to maidan mein utarne ke baad hi pata chalega ki kaun kitne pani mien hai.

Manisha- Oohhoooo Abhi se hi bada side liye ja raha hai to shadi ke baad kya hoga.

Manisha ki baat sunkar Savita Sharma gayi aur usne apne hatho se apna chehra chupa liya.

Usi shaam ko jaise ghar mein kohram sa mach gaya..

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 80[/color]

[color=rgb(51,]Din bhar sabkuchh Achhe se bita, lekin sham hote hi ghar mein kohram sa mach gaya. Naukar chakar aur ghar ke sabhi sadasya jaise saham se gaye ho. ek bahut hi karkas aur raubdar aawaz kano mein gunji.

Mahendarwa. Those kitni baar kahe hain ki is naaspite ko hame lane aur le jane ke liye mat bhejwana, lekin tum ho ki hamri baat sunatai kaha ho. Sare raste iske sadan huwe tempo mein hamri kamariya toot gayi hai. wo to hamahi ko pata hai ki ham kaise sahi salamat hiya tak pahuche hain. Hain nahi to batao jara.

To ye Aawaz Kisi aur ki nahi thi balki Allahabad wali buwa ji ki thi. Ab Buwa ji ke bare mein thoda vistar se jaan liya jaye.

[/color]
[color=rgb(65,]Buwa ji ka naam Sanno devi hai. umar lagbhag 70 sal ke kareeb hai. Umar bhale hi 70 sal ki ho gayi hai, lekin Aawaz mein abhi bhi Wahi Raub hai jo jawani mein huwa karta tha. Wo Mahendra Rathod ki sagi buwa nahi haii.

Asal mein Mahendra Singh Rathod ke papa ke koi bahan nahi thi to unhone apni Mausi ki beti ko apni sagi bahan ki tarah maan aur daan diya. Shuru se hi Unki is ghar mein chalti thi. bahut hi kadak swabhav ki hain buwa ji. Unhe har cheez samay par aur achhi chahiye.

Mahendra ke pita laad ke karan kuchh nahi bolte the. Mahendra ji bhi Buwa ji ko bahut samman dete hai. Ye wahi buwa ji hain Jinhone Raghav ko god lete samay mein apna adanga lagaya tha. Buwa ji thahre purani Parampara aur samaj ke hisab se chalne wali to wo Raghav ko pasand nahi karti thi.[/color][color=rgb(51,]

[/color]
[color=rgb(65,]unka man-na tha ki Raghav kis gotra, kul aur jati ka hai ye maloom na hote huwe bhi Mahendra ne use god kaise le liya. Ye to Savita ki Jid thi. nahi to Buwa ka bas chalta to Raghav Is ghar mein nahi hota. Abhi Raghav Unhe lane ke liye gaya tha, isliye itna bakheda shuru huwa tha. [/color]
[color=rgb(51,]

To ab aate hain kahani par.

Buwa ji ki kadkadati aawaz sunkar Naukaro aur anya Rishtedaro mein khusur fusur hone lagi ki buwa ji aa gayi. buwa ji aa gayi. Buwa ji ki kadak aawaz sunkar Mahendre ji aur Naina ji bahar aaye. Mahendra ji ne Buwa ji ke pair chhuwe.

Buwa ji ne us samay Charak ki hui plane krim colour ki suti sadi pahni huwi thi. ball safed. Aankho mein chashma. Gale mein kanthi ki mala aur hath mein ek chhota sa batuwa. Aur haan buwa ji ka takiya kalam tha [/color][color=rgb(61,]"haa nahi to batao jara" [/color]

[color=rgb(51,]Naina ji bhi jakar buwa ke pair chhuwe aur kaha.

Naina ji- Buwa ji aap aa gayi.

Buwa ji- Kyon nahi aana tha kya mujhe. Aakhir hamare mahendarwa ke baad kitne barash baad is ghar mein shadi ki shehnai baj rahi hai. hamari Savi bitiya ki shadi hai to hame aana hi tha, lekin tum logan ne Is naaspite ko hame lene bhejkar achha nahi kiya. Kahan hai Savi bitiya use bulao jara.

Buwa ji ki kadak aawaz sunkar Savita, Sarita aur Manisha bhi bahar aa chuke the. Savi ne aage badhkar buwa ji ke panv chhuwe. Jab buwa ji ki najar Sarita aur Manisha par padi to Unhone poocha.

Buwa ji- Aur sabko to ham pahchante hain par ye dono nawa prani kaun hain. Haan nahi to batao jara.

Savi- (dono ka parichay karwate huwe) Buwa dadi ji. Ye hamari dost hain. Ye Sarita hai Jo Nishu ke sath kaam karti hai aur ye hai Manisha.

Buwa jj- Ye badi wali to tumhari dost lag rahi hai, lekin ye chhotki tumhari dost nahi lag rahi hai. Ye tumse kitni chhoti hai.

Savi- Ye Dono bahane hain isliye dono meri dost hain.

Buwa ji- (Munh banate huwe) To in dono ko itni jaldi bulane ki ka jaroorat thi. Shadi wale din bulati inhe. Abhi inki kauno jaroorat naahi hai. haa nahi to batao jara

Buwa ji ki baat sunkar Sarita aur Manisha ko kya. Waha khade kisi bhi insan ko achha nahi laga. Kyonki dono do din mein hi sabse ghul mil gayi thi, buwa ji ki baat sunkar kisii ne kuchh kahne ki himmat nahi ki to Savita ne kaha.

Savi- Buwa ji ye dono meri khas dost hain. Isliye ye thode din pahle hi aa gayi.

Buwa ji- hamne aisa kya bol diya hai jo tum sabka munh ban gaya hai. haan nahi to batao jara.

Naina ji- (baat badalte huwe) Buwa ji aap pahle Aaram kar lijiye. Aap thak gayi hongi. Baate to baad mein bhi hoti rahengi.

Buwa ji- Haan bahuriya tum thik kah rahi ho. lekin in dono ne hamre pair nahi chhuwe. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat sunkar Manisha ne man hi man kaha.

Manisha- budhiya tumne mauka hi kaha diya. aate hi sir par chadkar tandav karne lagi.

Buwa ji ki baat sunkar Sarita unke pair chhune ke liye jaise hi aage badhne ko hui. Manisha ne dhire se uski kalayi daba di to wo rukk gayi. Buwa ji ne phir se kaha.

Buwa ji- Tum dono khadi kyon ho. Aao mere pair chhuwo.

Manisha- Wo kya hai na Aunty ji ki hamare yahan par ladkiyon se pair nahi chhuwate.

Buwa ji Manisha ke jawab se gussa ho gayi aur kaha.

Buwa ji- Hamare Allahabad mein bhi chhoti bachhiyo ko pair nahi chhune dete, lekin tum dono to ghodi ho gayi ho.

Manisha- Nahi Aunty ji. Ham dono Abhi bachhiya hi hain. Ab aapko ham dono ghodi dikh rahe hain to aapka chashma kharab ho gaya hai. aap uska number badalwa lijiye.

Buwa ji ko aur adhik gussa aata isase pahle hi Mahendra ji ne kaha.

Manendra ji- Buwa ji. Aap chalkar pahle aaram kar lijiye. Uske baad aap inse apne pair chuwa lijiyega.

Buwa ji Mahendra ji ko gusse se dekhne lagi aur Sarita aur Manisha ke upar ek gusse bhari najar dalkar Mahendra ji ke sath kamre mein chali gayi. unke kamre mein jane ke baad Sarita ne Manisha ko dant-te huwe kaha.

Sarita- Ye kya tarika hai bado se baat karne ka Manisha.

Manisha- (munh banate huwe) Tumne dekha nahi unhe didiya. Wo kaise hamse baat kar rahi thi.

Sarita- To kya huwa. Wo badi hain hamse . agar unhone hame kuchh bol diya to thoda bardast nahi kar sakti thi.

Savi- Sorry. Tum dono buwa dadi ki baato ka bura mat man-na wo aisi hi hain.

Sarita- (muskurate huwe) Nahi di. bado ki baato ka kya bura man-na.

Sarita ka jawab sunkar Savita muskurane lagi. Mahendra ji aur Naina ji ne bhi Buwa ki kadwi baton ke karan mafi mangne lage to Sarita ne kaha.

Sarita- Are Uncle Aunty aap log Hame sharminda na karein. Shadi vivah ke ghar mein itna sab to chalta rahta hai aur yakin maniye hamko bilkul bhi bura nahi laga ki buwa dadi ji ne hame kuchh kaha hai. haan shuru shuru mein ye thoda atpata jaroor laga, lekin wo buwa dadi ji ka swabhav hai. ab sab sahi hai. Sab log ek jaise to nahi hote ha.

Sarita ki baat sunkar Naina ji ne uske Sir par hath pherte huwe kaha.

Naina ji- Jiti raho beti. Bahut achhe sanskar hain tumhare.

Isi tarah Aaj ka din bhi beet gaya. 4 din baad haldi ki rashm thi. Sarita aur Manisha ne bahut koshish ki ki unka Samna buwa ji se na ho. wo dono Buwa ji se jyada se jyada door rahne ki koshish kar rahi thi,

lekin Agar Samna ho jata tha aur buwa ji kuchh bol deti thi to Sarita chupchap sun leti thi, lekin Manisha unhe apne tarike se jawab de deti thi jisase buwa ji gussa ho jati. Fir dono mein kaha suni ho jati. Pichhle tin din se yahi sab chal raha tha.

Haldi ki rashm se ek din pahle sham ke wakt buwa ji ne Naina ji se kaha.

Buwa ji- Bahuriya. Koi videshi phoolo se nahi balki gende ke phool se aangan mahakna chahiye. Haa nahi to batao jara.

Naina ji- Ji buwa ji. Aap bilkul bhi chinta mat kijiye. Raghav ne Sab Intezam kar diya hai. Mali aakar ghar saza dega.

Buwa ji- (apna matha pitkar) Nishuwa ki Amma. Kya tumhari mati mari gayi hai jo har kaam mein us naspite ko shamil kar leti ho. ham bata de rahe hain ki agar hamka wo kisi bhi kaam mein aage dikha to ham usmein shamil nahi honge. Haan nahi to batao jara.

Naina ji- Aap aisa kyon kah rahi hain Buwa ji. Ham logo ko lag raha tha ki Nishu nahi hai to Sab kaam kaise hoga. Lekin Raghav ne sab kuchh Achhe se sambhal liya. Aaj agar wah nahi rahta to Savi ke papa akele pareshan ho jate. Usne sabkuchh bahut achhe se sambhal rakha hai Buwa ji.

Buwa ji- Us naspite ko sab kaam dene ki kya jaroorat thi. Hamko bolti to ham Apne Rameshwa ko bhej dete.

Naina ji- Aap ko pata hai ki Savi Raghav ko kitna chahti hai. Agar Raghav kisi Rashm mein shamil nahi hoga to Savi kisi Rashm mein nahi baithegi. Aakhir wo Bhai hai Savi ka. Aap samajhne ki koshish kijiye buwa ji.

Buwa ji- Hamka kuchho nahi pata. U Naspita Kisi Rashm mein nahi baithega. Ham bol de rahe hain.

Naina- Buwa ji. Bas Kuchh din ki baat hai Aap se hath jodkar vinti hai ki sab kaam achhe se ho jane dijiye. Koi bakheda mat khada kijiyega.

Naina ji ka ye bolna tha ki buwa ji bhadak gayi aur boli.

Buwa- To Kya hamka isiliye yaha bulaya hai tumne ki hamari beijjati kar sako. Ab tum log itne bade ho gaye ho ki hamari baat katoge. Mahendarwa. Kaha ho tum. Dekho Tohar mehraru ka bol rahi hai. haa nahi to batao jara.

Jab in dono ki batein ho rahi thi to Raghav waha se gujar raha tha. Usne dono logo ki batein sun li. Wo unke paas aakar hath jodte huwe bola.

Raghav- Aap pareshan mat hoiye buwa dadi ji. Aap jaisa chahti hain waisa hi hoga. Ab ham kisi kaam mein aage nahi aayenge.

Buwa ji- Are naspite. Ham tumhari buwa dadi nahi hain. Ham bas Savi bitiya aur Nishu betwa ki buwa dadi hain. To tum hamko buwa dadi mat kahna ab. Haan nahi to balao jara.

Naina ji ne Raghav ka hath pakadkar kuchh bhi bolne se mana kar diya, lekin Raghav unki baat nahi mana aur Bola.

Raghav- Nahi mummy ji. Agar buwa dadi ji ko mujhse pareshani hai to main ab se aage aage koi kaam nahi karunga. Na hi main inhe buwa dadi ji kahunga. Main aapse maffi mangta hoon.

Itna kahkar Raghav Waha se chala gaya. Uski aankho mein aanshu aa gaye the. Naina ji use rukne ke liye aawaz bhi di. lekin Raghav nahi ruka. Naina ji ki aankho mein aanshu aa gaye Raghav ko aise jate dekhkar.

Wo bhi bina kuchh bole Raghav ke pichhe pichhe uske kamre mein chali gayi. jab Naina ji Raghav ke kamre mein pahuchi to Raghav apne kamre main sofe par baitha huwa tha. Uski aankho mein aanshu bah rahe the. Ye dekhkar Naina ji ka dil rone laga. Unhone bhari Aawaz mein Raghav ko pukara.

Naina ji- Raghav beta.

Naina ji ki aawaz sunkar Raghav ne turant apne aanshu pochh liye aur kaha.

Raghav- Mummy ji aap. Aaiye na waha kyon khadi hain.

Naina ji jakar Raghav ke paas sofe par baith gayi aur uske sir par hath firate huwe boli.

Naina ji- Kya baat hai beta. Tu waha se chala kyon aaya. Maine tumhe rukne ke liye aawaz di thi to tu ruka kyon nahi.

Raghav- Kuchh nahi mummy ji. Kuchh kaam yaad aa gaya tha mujhe.

Naina ji- Apni maa se jhooth bolega tu ab. Mujhe pata hai ki tumhe buwa ji ki baat kharab lagi hai. lekin tum to jante ho ki wo aisi hi hain. Unki bato ko jyada dil par mat lagaya kar. Unhe jo bolna hai wo bolne de. Unke bolne se kya hota hai. Teri bahan ki shadi hai to tujhe to sabkuchh aage aage rahkar karna hoga.

Raghav- Nahi mummy ji. Buwa dadi ji bilkul sahi kah rahi hain. Kuchh bhi ho, lekin sach to yahi hai ki main is ghar ka beta nahi hoon. Isliye buwa dadi ji mujhse itni nafrat karti hain.

Naina ji- Bahut maar khayega agar aisi baat tumne dobara ki to. Tum mere bete ho aur hamesha mere bete hi rahoge. Buwa ji ke kahne se hamare Rishta thodi hi badal jayega. Maine hamesha tum-me aur Savi Nishu mein koi fark nahi kiya. To tum aisa kyon bol rahe ho. Agar tumne ye baat apne man mein dobara layi to main tumse kabhi baat nahi karungi.

Raghav- Soryy Mummy ji.

Raghav ki baat sunkar Naina ji ne use gale laga liya. Thodi der gale lagne ke baad Raghav se alag hui aur kamre se jati hui boli.

Naina ji- Ab apni Roni surat sahi kar lo Raghav. Agar Savi ne tumhe is halat mein dekh liya to poora ghar sir par utha legi.

Naina ji itna kahkar kamre se bahar chali gayi. Raghav ne apna munh dhoya. Raghav ka man bahut vichlit ho raha tha to wo ghar se bahar chala gaya. Udhar Manisha Raghav ko porre ghar mein dhoondh rahi thi, lekin Raghav use kahi nahi mila.

Raghav ke bare mein usne Savita se poochha to Use bhi kuchh pata nahi tha. Manisha ne Raghav ko kai phone kiye. Lekin Raghav ne uski call nahi uthayi. Manisha bahut PARESHAN HO GAYI THI. Der raat jab Raghav ghar aaya to Manisha uske kamre mein pahuch gayi aur boli.

Manisha- Kaha gaye the tum. Main tumhe kab se phone kar rahi thi. tumne mera phone kyon nahi uthaya.

Raghav- Ek kaam se gaya tha isliye phone nahi uthaya.

Manisha- Kis kaam se gaye the?? Mujhe bata to sakte the na. main kitni pareshan hokar tumhe paglo ki tarah poore ghar mein dhoondh rahi thi. mujhe pareshan karne mein tumhe maza aata hai na.

Raghav- (kheejhte huwe) nahi batana kuchh bhi. Ab jao yaha se. abhi main bahut pareshan hoon. Mujhe koi baat nahi karni hai tumse.

Manisha- Kya baat hai Raghav??

Manisha ne ye baat Raghav ka hath pakadkar kahi. Raghav ne apna hath Manisha ke hath se chhuda liya aur bola.

Raghav- Koi baat nahi hai. PLZ tum mujhe kuchh wakt ke liye akela chhod do. Mujhe aaram karna hai.

Abhi Manisha Raghav se kuchh kahti isase pahle hi Savita kamre mein aa gayi. usne Aate hi Raghav ko gale laga liya aur rote huwe boli.

Savi- Buwa dadi ji ko jo bolna hai wo bole. Main nahi manti unki baato ko. Tum mere bhai ho aur hamesha mere bhai rahoge. Meri shadi ke sare function mein tum rahoge. Buwa dadi ji chahe rahe ya na rahein.

Savita ki baat Manisha ke samajh mein nahi aayi. Wo dono ko dekhti rahi. Savita ki baat sunkar Raghav ne kaha.

Raghav- Di main to yahi hoon. Aapse kisne kah diya ki main shadi mein shamil nahi rahunga. Main to hamesha aapke sath hoon. Ab aap ye rona band kijiye. Nahi to main bhi rone lagunga.

Ye bolkar Raghav ne Savita ka chehra apne samne kiya aur apne hatho se uske aanshu saaf karne laga. Savita ne Raghav se kaha.

Savita- Tum sahi kah rahe ho na ki tum shadi ke sare function mein rahoge. Kahi buwa dadi ji ki baat ke karan tum chale to nahi jaoge na.

Raghav- Nahi di. main bilkul sahi kah raha hoon. Main aapki shadi ka sara function attend karunga. Aakhir meri eklauti bahan ki shadi hai.

Manisha ko kuchh bhi samajh mein nahi aa raha tha to usne poocha.

Manisha- Kya huwa hai didi??

Savi- Kuchh nahi Manisha.

Manisha- Are yaar mujhe bhi to koi kuchh batao. Jisase poochho wahi kah raha hai ki kuchh nahi.

Ye baat Manisha ne narazagi jatate huwe kahi to Raghav ne kaha.

Raghav- Tumhare kaam ki baat nahi hai ye. Tum jao apne kamre mein.

Raghav ki baat sunkar Manisha ko bahut gussa aaya aur wo badbadati hui apne kamre mein chali gayi.

Manisha- Patan ahi apne aapko kya samajhta hai. kisi baat ka dhang se jawab hi nahi de raha hai. main bhi nahi poochhti kuchh ab.

Manisha ka badbadana Savita ne sun liya. Jab Manisha waha se chali gayi to Savita ne kaha.

Savita- Achha hai isko kuchh nahi bataya. Is toofan mail ko in sabse door hi rakho. Warna aaj ya to buwa dadi bachengi ya fir ye.

Savita ki baat sunkar Raghav hansne laga. Savita bhi Raghav ke sath hansne lagi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 81[/color]

[color=rgb(51,]Subah se ghar mein badi chahal-pahal thi. Aaj haldi ki rashm thi. haldi ki Rashm ke liye poora ghar phoolo se sajaya gaya tha. Phulo ki manmohak Khushbu se poora ghar mahak utha tha. Subah se hi ghar mein chahal pahal thi. Buwa ji ki tez tarrar aawaz ne is chahal pahal ko aur tez kar diya.

Buwa ji- Bahuriya. Ladke walon ki taraf se haldi aa gayi ki nahi abhi. Haan nahi to batao jara.

Naina ji- Nahi Buwa ji. Abhi tak to nahi aayi hai.

Buwa ji- Haan nahi to batao jara. Itni der ho gayi hai aur abhi tak haldi nahi aayi. Jab haldi aa jayegi tabhi to Aage ka kaam shuru hoga.

Mahendarwa. Kahi aise waise ghar mein to shadi nahi kara raha hai hamari Savi bitiya ki. Ham to Sagai mein aaye nahi the nahi to usi samay sari khoj bin kar lete ladke walon ke bare mein.

Mahendra ji- Sab log bahut Achhe hain Buwa ji. Aur sabse badi baat Savi ko bhi ladka bahut pasand hai to hame aur kya chahiye. Jab tak haldi nahi aa jati tab taka aap apni pooja kar lijiye.

Buwa ji- Haan. Savi ki akele pasand se kya hota hai. ghar walo ko bhi to pasand aana chahiye. Haan nahi to batao jara. Aur Ei Nishuwa Bhi pata nahi kahan mar gaya hai. Koi apni bahan ki shadi mein is tarah mehmaan banker aata hai kya.

Jise mehman ban kar aana chAHIYE wo to kai din pahle hi aakar ghar mein kabja jamaye baithe huwe hain. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat ka matlab sabhi samajh rahe the ki unka ishara kiski taraf hain fir bhi koi aaj ke din bakheda nahi khada karna chahta tha, isliye kisi ne buwa ji ko koi jawab nahi diya. buwa ji ne aage kaha.

Buwa ji- Mahendarwa. Ham tohre se kitni baar bole the ki Nishuwa ko Naukri mat karne do. Aakhir itne bade ghar ka hokar uu piddi si naukari kar raha hai. lekin hamri baat manta hi kaun hai. haan nahi to batao jara. Ham kuchho galat bol rahe hain. Dekho to abhi tak apni bahan ki shadi mein nahi pahucha. Upar se us naaspite se sara shubh kaam karwa rahe hain.

Buwa ji ki baat Mahendra ji aur Naina ji dono ko kharab lagi lekin unhone is bare mein kuchh nahi kaha. Naina ji ne baat ko badalte huwe kaha.

Naina ji- Are buwa ji aap kyon pareshan ho rahi hain. Nishu se baat ho gayi hai. wah samay se aa jayega. Aap apna BP mat badhaiye.

Thodi der baad ladke walon ki taraf se haldi aa gayi. ab wahi haldi Savita ko lagni thi. Savita Haldi wale din bahut achhe se taiyar hui thi. Savita ne pile aur laal rang ki kinari wali sadi pahni hui thi. Jisme phoolo ki kadhai ki gayi thi jo sadi ki Shobha badha rahe the.

Usne apne balo ka juda banaya huwa tha. Jisme se aage ke kuchh baal usne khule chhod rakhe the jo uske galo ko chumkar uski chundarta aur bhi badha rahe the. Savita is Sringar mein bahut hi pyari lag rahi thi. Manisha ne pile rang ka top aur nile rang ki jeanse pahan rakhi thi . usne bhi apne balo ko khula chhoda huwa tha.

Manisha ne kanon mein chhote chhote bunde dale huwe the. Sarita ne pile rang ka frock shoot pahna huwa tha aur balo ko half cluch kiya tha. Mathe par chhoti si kali bindi aur kanon mein jhumke. Kul milakar tino bahut pyari lag rahi thi.

Raghav ne Gahre pile rang ka kurta payjama pahna huwa tha. Lekin wo Apne kamre mein baitha huwa tha. Is tarah ghar ke har sadasya ne pile rang ka hi paridhan pahna huwa tha. Savita Taiyar hokar naina ji ke paas gayi aur boli.

Savi- Mummy Raghav kaha hai dikhayi nahi de raha hai.

Naina ji nahi chahti thi ki abhi koi bakheda khada ho isliye unhone jhooth bol diya.

Naina ji- Tere papa ne use kisi kaam se bahar bheja huwa hai.

Savi- (Sandeh prakat karte huwe) Pakka na.

Savita ki baat sunkar Naina ji ne haa mein apni gardan hiila di aur Savita ke sir par apna hath pher diya. Uske baad Function ki taiyari hone lagi. Savita jakar pidhe par baith gayi. Sabhi use haldi lagane lage. Savita ne bhi thodi masti karte huwe Sarita ke gallon par haldi laga di. Sarita us haldi ko pochhne lagi to Rishte mein Bhabhi lagne wali ek aurat ne kaha.

Bhabhi- Are Is haldi ko itni jaldi saaf mat karo. Apsakun hota hai.

Bhabhi ki baat sunkar Sarita ne haldi ko aise hi laga rahne diya. idhar Manisha ki najar lagatar Raghav ko hi khoj rahi thi. jab Raghav use kahi bhi najar nahi aaya to Wo Rahgav ke kamre mein gayi to wo apne kamre mein baitha huwa tha. Manisha ne kaha.

Manisha- Tum yaha kya kar rahe ho??

Raghav- Bas aise hi baitha huwa hoon.

Manisha- Niche didi ka haldi ka function chal raha hai aur tum yaha baithe huwe ho. chalo niche.

RAghav- Nahi mujhe halti se alarji hai.

Manisha- Achha. Ab tum mujhse bhi jhooth bolne lage. Mujhse jhooth mat bolo varna achha nahi hoga.

Raghav- Varna kya karogi.

Abhi Raghav ne itna hi kaha tha ki usne apne hath mein lagi hui haldi Ragahv ke galo par laga di aur boli.

Manisha- Varna main ye karungi.

Abhi Raghav Use pakadne ke liye kuchh karta usase pahle hi Manisha kamre se bhag gayi. Use jate dekh Raghav ne muskurate huwe kaha.

Ragahv- Pagal ladki.

Idhar Sarita ko Rishte ki sabhi bhabhiya chhed rahi thi ki Savita ke baad Agla number Sarita ka hi hai. Jisase Sarita pareshan bhi ho jati thi aur sharma bhi jati thi.

Rishte ki ek chachi ki beti ne Sarita ke gaal par aur haldi laga di to Sarita use haldi lagane ke liye daud padi. duadte duadte wo ladki achanak mud gayi. Jiske karan Sarita Samne se aa rahe ek ladke se takra gayi. jiske karan Sarita ke hath mein lagi haldi us ladke ke shirt par lag gayi.

Haldi Sirf thodi si Uski shart par lagi thi. Sarita ke hath ki poori chap us ladke ke shart par nahi aayi thi. Sarita ne jhatke se bagal hote huwe usase kaha.

Sarita- Sorry maine dhyan nahi diya.

Lekin wo ladka Sarita ki khoobsurti mein kho gaya. Wo bina koi jawab diya ektak Sarita ko dekhne laga. Sarita ko ye bilkul bhi achha nahi laga. Isliye wo waha se chali gayi. Tabhi buwa ji waha par aa gayi aur us ladke ko dekhkar boli.

Buwa ji. Are Ramesh betva. Tum aa gaye.

Ladke ne aage badhkar Buwa ji, Mahendre ji, Naina ji aur Anya bado ke pair chuwa aur bola.

Ladka- Haan Dadi main aa gaya.[/color]

[color=rgb(65,](Mitro aur Pathko. Ramesh ka is kahani mein jyada kuchh khas Bhumika nahi hai isliye uska details mein parichay nahi de rahi hoon. Ramesh Buwa ji ka pota hai. Ramesh ka Asli naam Armesh hai, lekin buwa ji use Ramesh kahti hain. Wo Use Armesh ki jagah Ramesh kyon kahti hai ye aapko aage pata chal jayega)[/color]

[color=rgb(51,]Naina ji- Armesh beta. Bilkul sahi samay par aaye ho tum.

Savi- (Armesh ko dant-te huwe) Kya jaroorat thi abhi aane ki. Shadi ho jane dete tab aate.

Armesh ne Savita ko pyaar se puchkarte huwe kaha.

Armesh- Are meri pyaari didi. Maaf kar dijiye mujhe is deri ke liye. Jo bhi saza aapko deni ho wo de dijiye.

Savi- (use gale lagakar) Apne bhaai ko main kyon saza dungi.

Armesh- Kya main didi ko haldi laga sakta hoon??

Buwa ji- Haan Kyon nahi. Aakhir bahan hai wo tumhari to lagaoge kyon nahi. Haan nahi to batao jara..

Armesh ne haldi apne hatho mein lagayi aur use shararat karte huwe Savita ke naak par laga di. Savita ne use aankh dikhayi to Armesh ne kaha.

Armesh- Sorry didi. Ab Achhe se lagaunga.

Haldi ki Rasham chal rahi thi. Tabhi Manisha aakar Savi ke paas baith gayi aur USke kano mein kuchh kaha. Savita ne pahle to na nukur ki fir Sharma kar apna Sir niche jhuka liya. Ye dekhkar buwa ji ne apna munh folate huwe kaha.

Buwa ji- Aise kya baat hai jo tum dono khusar fusar kar rahi ho. haan nahi to batao jara.

Manisha- Buwa Dadi ji. Ye ham jawan logo ki baat hai Aap nahi samjhengi.

Buwa ji- (tunak kar) To ham kaun sa budhe ho gaye hain. Haan nahi to batao jara.

Manisha- (Shararat se) Buwa dadi ji. Lagta hai Aap meri baat ka matlab nahi samajh payi. Main ye bol rahi hoon ki Abhi to aapka bachpna chal raha hai. Abhi aapko jawan hone mein samay lagega.

Manisha ka itna bolna tha ki Aas-paas baithi chachi-bhabhi apne anchal mein munh dabakar hansne lagi. Buwa ji ne bhi abhi kuchh bolna sahi nahi samjha, lekin unhone Manisha ko ghoorne mein koi kasar nahi chhodi.

Savita ne Ek mulajim se Raghav ko bulwaya, lekin wo nahi aaya to Savita ne Manisha ko Raghav ko bulane ke liye bheja. Manisha Raghav ke kamre mein jakar chillate huwe boli.

Manisha- Kya hai. tum itna bhaav kyon kha rahe ho. chalo bahar didi bula rahi hain tumhe.

Lekin Raghav bahar chalne ke bajay Manisha ka hath pakad liya to Manisha ne use aankh dikhate huwe kaha.

Manisha- hath pakadne ke liye nahi kaha maine. Bahar chalne ke liye kaha hai.

Raghav ne Manisha ki baat ka koi jawab nahi diya aur use apne kareeb kheechte huwe kaha.

Raghav- Tabhi haldi lagakar bhag gayi thi na to ab main tumhe haldi lagaunga.

Manisha- (hanste huwe) kaise lagaoge. Haldi to yahan hai hi nahi.

Raghav- (muskurakar) Uski chinta tum mat karo main manage kar lunga.

Itna kahkar Raghav ne Manisha ka chehra pakda aur apna gal uske gal se lagakar ragadne aga. Raghav ki is harkat se Manisha ke poore badan mein sihran si daud gayi aur usne apni aankhe band kar li. Thodi der dono isi position mein rahe.

Manisha ko jab apni sthiti ka dhyan aaya to wo jhat se Raghav se door hokar khadi ho gayi. Raghav Use dekhkar muskura raha tha aur Manisha Apna Sir niche kiye huwe khadi thi. Thodi der baad jab Manisha normal hui to usne kaha.

Manisha- Agar tumhare man ka ho gaya ho to bahar chale. Didi intezar kar rahi hongi.

Raghav- Main nahi chalunga.

Manisha- Thik hai fir. Mujhse baat mat karna ab.

Raghav- Ye kya baat hui bhala.

Manisha- Yahi baat hui. Agar bahar nahi chaloge to mujhse baat bhi mat karna.

Raghav- Ye to galat hai.

Manisha- Kuchh bhi galat nahi hai. jitna apne man ka karna hai kar lo, lekin mujhse baat karne ki koshish mat karna ab.

Itna kahkar Manisha uske kamre se bahar nikal gayi. Wo Savita ke paas pahuch kar jaise hi usko batane wali hui ki Raghav aane se mana kar raha hai. uske pahle hi Savita ne kaha.

Savi- Raghav. Tum aa gaye.

Savita ki baat sunkar Manisha ne pichhe mudkar dekha to Raghav khada tha. Raghav ne Aage badhkar apne hath mein haldi li aur Savita ko haldi laga di. Ye dekhkar Buwa ji Aag babula ho gayi aur boli.

Buwa ji- Ab chalo. Jaldi se nahlao Savi bitiya ko. Sara gud gobar kar diya is naas pite ne. haan nahi to batao jara. Mahendarwa tum hamari baat kyon nahi sunte. Maine pahle hi bol diya tha ki is naaspite ko kisi bhi shubh kaam mein shamil mat karna, lekin hamri sunta hi kaun hai.

Buwa ji ki baat sunkar Savita ruwansi ho gahyi aur unke samne hath jod liya aur kaha.

Savi- Buwa dadi ji. Bhagwan ke liye mere bhai ko aur kuchh mat boliye.

Manisha ko bhi Buwa ji ki baat bahut kharab lagi. Usne Raghav ki taraf dekha jo bas Savita ko dekhkar muskura raha tha. Fir wo waha se apne kamre mein chala gaya. Manisha bhi uske pichhe jana chahti thi, lekin Sabhi ki najar Abhi usi taraf thi jis taraf Raghav gaya tha. Isliye usne Ragahv ke pichhe jana uchit nahi samjha.

Manisha Savita ke paas hi baith gayi. Savita ki aankhe bhar aayi thi. Manisha Savita ko dilasha dene lagi aur uska hath pakad liya.

Tabhi Samne se Nishchal aata huwa dikhayi diya. jise dekhkar Manisha Chahakate huwe boli.

Manisha- Boss Aap aa gaye.

Savita bhi Nishchal ko dekhkar bahut khush hui. Nishchal ko dekhkar buwa ji ne kaha.

Buwa ji- Ye kya betwa?? Aisi bhi naukari karne ka kya fayda jab apni hi bahan ki shadi mein mehman ki tarah aana pade. Haan nahi to batao jara.

Nishchal ne Aage badhkar Buwa ji ke pair chhuwe aur kaha.

Nishchal- Ab Kya kare buwa dadi ji. Meri duty hi aisi hai. meri duty hi meri pahli prathmikta hai baki sab iske baad aata hai. Kitni mushkil se aaj chhutti lekar aaya hoon nahi to kal aana padta. Bahut kaam hai mere kandho par.

Buwa ji- Jo bhi ho. par ek baat to hai ki tumhe apni bahan ki koi parwah nahi hai. tumse achha to hamara Rameshwa hai jo tumse pahle hi aai gawa hai.

Buwa ji ki baat ka Nishchal ne koi jawab nahi diya aur Savita ke paas aate huwe kaha.

Nishchal- maine kaha tha na di ki ek bhi Rashm miss nahi karunga. Aur dekho bilkul sahi samay par aa gaya.

Nishchal ki baat sunkar Savita ne uske sir par hath fer diya. Nishchal ne kaha.

Nishchal- Mujhe bhi haldi lagani hai kya??

Nishchal ki baat sunkar Rishte ki ek Bhabhi ne kaha.

bhabhi- Tumhe bhi lagwani hai kya??

Nishchal- Kash aisa mauka mil jaye.

Bhabhi- Tumhe bhi lag jayegi Haldi. Itne utawale kyon ho rahe ho. pahle devrani ji ko to pasand kar lo.

Bhabhi ki baat sunkar Nishchal ne Apni ungli Style se apne balo par firate huwe kaha.

Nishchal- maine to pasand kar li hai Bhabhi. Lekin use hi main pasand nahi.

Bhabhi- Are aisi kaun si hoor ki pari hai jisne mere dewar ji ko na bolkar unka dil tod diya.

Nishchal- Mana to nahi kiya usne Bhabhi, lekin mujhe lagta hai aisa.

Bhabhi- Are hame bhi to bataiye kaun hai wo. Ham hi tumhari madad kar dete hain use haan bulwane mein.

Nishchal- Hai koi. Ab kuchh batein personal hi rahne dijiye Bhabhi. Waise main to di ko haldi lagane ki baat kar raha tha.

Bhabhi- ham khoob tumhare paitare samajh rahe hain dever ji. Waise Savi ko lagne wali haldi apni hone wali ko bhi laga do. Tumhara kaam bhi ban jayega.

Nishchal- Kya sach mein Bhabhi. Aise bhi hota hai kya??

Bhabhi- 100 % hota hai dewer ji.

Bhabhi ki baat sunkar Nishchal bas muskurakar rah gaya aur idhar udhar dekhne laga. Sarita use kahi najar nahi aayi to wo man hi man bola.

Nishchal- ye lady don kahi dikhayi nahi de rahi hain. Kahi so to nahi rahi hai. Are nahi abhi thodi hi soyegi, fir kya kar rahi hai. chhote miya to yahi par hain. Bade miya ko dhoondhna padega.

Nishchal apni soch mein hi dooba huwa tha ki tabhi Savita ne kaha.

Savi- Kya baat hai Nishu. Kis soch mein dooba huwa hai.

Nishchal- Kuchh nahi di. Sarita ko dhoondh raha tha.

Savi- Badi jaldi hai usase milne ki.

Nishchal- Di ab aap to meri khichayi mat karo.

Nishchal ki baat sunkar Savita muskurane lagi. Nishchal ne Savita ko haldi lagayi aur apne kamre mein chala gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 82[/color]

[color=rgb(51,]Nishchal ki baat sunkar Savita muskurane lagi. Nishchal ne Savita ko haldi lagayi aur apne kamre mein chala gaya. Kamre mein pahuchne ke baad waha ka najara dekhkar wo apna sir pakadkar baith gaya. Kyonki uska room ab uska nahi raha tha baki public proparty ban chuka tha. Sara saman idhar udhar bikhra pada tha.

[color=rgb(65,]Shadi wale ghar mein aksar aisa hi hota hai ki poore ghar ka room bas mehmanon, rishtedaro aur Aagantuko ke samano se bhara pada rahta hai aur ek room mein kam se kam 5-6 log to apni apni vyavastha kar hi lete hain. Par fir bhi maza bahut aata hai in sab mein.[/color][/color]


[color=rgb(51,]Nishchal ne apne kamre ka haal dekhkar usme rahne ka vichar tyaag diya aur apna saman uthakar Raghav ke kamre ki taraf chal pada. Wah Raghav ke kamre ki taraf ja raha tha to use Sarita Raghav ke kamre se bahar aate huwe dikhayi di. Nishchal ne jab use dekha to dekhta hi rah gaya. Kyonki wo Sarita ko Aaj poore 8 din baad dekh raha tha. [/color]

[color=rgb(65,]Ye baat sahi hai ki jab aap kisi se pyaar karte ho to aapko aapka mahboob bahut hi pyara lagta hai chahe wo lower t-shirt mein ho ya chadhhi baniyan mein hi (Mazak tha ye).[/color][color=rgb(51,]

Par Sarita to aaj Roj se alag hi lag rahi thi. Pile frock shoot mein uska chehra aur bhi jyada damak raha tha.

Sarita ke paas pahuch kar Nishchal ne uske gaal par halke hath se maara to Sarita ke galo par Nishchal ke hath mein lagi thodi si haldi lag gayi. Sarita ne use ghoorte huwe kaha.

Sarita- Ye kya tha??

Nishchal- Tumhare galo par machhchar baitha huwa tha.

Sarita- To marne ki kya jaroorat thi??

Nishchal- Agar main use na marta to wo tumhe kaat leta. (Man mein) tumhe haldi lagane ke liye mara tha)

Sarita- Achha ji.

Nishhal- Haan ji. Ab mera aage se hato aur mujhe room mein jane do.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne use ghoorkar dekha aur waha se chali gayi. Sarita ke jane ke baad Nishchal Muskurate huwe Raghav ke kamre mein chala gaya. Raghav apne kamre mein hi tha. Raghav ne nishchal ko dekha to kaha.

Raghav- Are bhaai. Badi der laga di aane mein. Kab se sab tumhari raah dekh rahe hain.

Nishchal- Are bhaai tumhe to pata hi hai meri job kaisi hai. lekin dekho samay se aa gaya main. Di ki shadi ki ek rashm bhi miss nahi ki maine.

Raghav- Wo to thik hai, lekin ab tum sare kaam mein meri madad karna. Main kitna pareshan tha akele sara kaam manage karne mein.

Nishchal- Dekh bhaai. Man le agar main nahi aata to tu sara kaam akele karta hi. To tu ye samajh le ki main aaya hi nahi hoon. Yahi mankar kam karta rah poora.

Nishchal ki baat sunkar Raghav ne use takiya fenk kar mara aur kaha.

Raghav- Sale agar tu aaya na hota tab main karta sara kaam, lekin ab to tu aa gaya hai na to jyada nakhre mat dikha aur kaam mein meri madad kar. Nahi to papa ji ko bol dunga main. Samjha ki nahi.

Nishchal- Samajh gaya mere baap. Ab mujhe thoda aaram karne de. Baad mein baat karta hoon is bare mein.

Thodi der aaram karne ke baad Nishchal ne Savita se milne ka socha. Wo uthkar Savita ke room ki taraf chala gaya. Darwaze par pahuchkar usne darwaza khatkhataya aur kaha.

Nishchal- Di. aap andar ho.

Andar se Sarita ki aawaz aayi.

Sarita- Haan di andar hi hain lekin wo so rahi hain.

Nishchal- Darwaza kholo, mujhe di se kuchh baat karni hai.

Sarita- Di abhi so rahi hain. Jab wo jag jayengi tab aap baat kar lijiyega.

Nishchal- Maine kaha na ki darwaza kholo. Mujhe di se bahut jaroori baat karni hai.

Sarita- Maine bhi kaha na ki di abhi so rahi hain to jab wo uthengi to aap baat kar lijiyega.

Nishchal- Achha thik hai to tumhi bahar aa jao. Tumse hi kuchh baat ho jaye.

Sarita- Lekin mujhe aapse koi baat nahi karni hai.

Nishchal- Urgent baat hai. Samjha karo.

Sarita- Urgent hai to kahiye main sun rahi hoon.

Nishchal- Are jab darwaza khologi tabhi to kahunga na.

Sarita- Mujhe baat sun-ni hai. baat ko dekhna nahi hai jo darwaza kholne ki jaroorat pade.

Nishchal- Are yaar tum meri baat manti Kyon nahi ho. jab main bol raha hoon ki urgent baat hai to mana karo.

Sarita- Main kyon aapki baat manu. Main sun rahi hoon aapko jo bhi urgent baat karni hai kariye.

Nishchal- Main aakhiri baar kah raha hoon ki darwaza kholo nahi to main darwaza tod dunga.

Sarita- Tod do. Aapka hi nuksan hoga. Mujhe kya.

Sarita ki baat sunkar Nishchal ne darwaze par ek laat mari. Sarita ne socha tha ki Nishchal sirf bol raha hai darwaza todne ke liye, lekin jab Darwaze par maarne ki aawaz aai to Sarita ne socha ki agar darwaza nahi khola usne to Nishchal sach mein darwaza tod na de, isliye usne kaha.

Sarita- Rukiye Sir. Main darwaza khol rahi hoon.

Nishchal- Ab aayi na line par.

Sarita ne jab darwaza khola to Nishchal andar aane laga. Jab wo left side ki taraf se ghusne ki koshish karta to Sarita left side ki taraf ho jati aur jab Nishchal Right side ki taraf se ghusne ki koshish karta to Sarita Right side mein ho jati. Jab aisa kai baar ho gaya to Sarita ne tang aakar kaha.

Sarita- Mujhse baat karni hai na aapko to kariye na. yun pareshan kyon kar rahe hain mujhe.

Nishchal- Tumne abhi tak apne galo par lagi haldi saf nahi ki hai.[/color]


[color=rgb(51,]Nishchal ki baat sunkar Sarita sochne lagi ki jab Nishchal se milkar wah niche gayi thi tab Bhabhi ne use chidhaya tha ki ab to apne galo par lagi haldi saf kar lo, tab to usne saf ki thi par fir haldi kaise lag gayi.[/color]

[color=rgb(51,]Sar[/color]
[color=rgb(51,]ita isi udhedbun mein thi ki tab tak Nishchal doosri taraf se Nikal kar kamre mein chala gaya. Sarita ko jab ye ehsas huwa to wo Nishchal ke pichhe bhagi, lekin tab tak Nishchal bed par padi chaddar ko hata diya tha,

jaise hi Nishchal ne bed par na chaddar ko hataya. Uski aankhe badi ho gayi, kyonki waha par to Savita kahi dikh hi nahi rahi thi. waha par to bas 3 takiye ek sidh mein rakhe huwe the, jise ek insan ke aakar ka banakar usko chaddar se dhak diya gaya tha. Jisase dekhne wale ko lage ki koi so raha hai. Ye dekhkar Sarita ki halat kharab ho gayi. Nishchal Sarita ki taraf badhte huwe kaha.

Nishchal- Di kahan hai Miss Sarita.

Nishchal ki tez aawaz sunkar Sarita ki halat kharab ho gayi. Sarita ne apne aankhe band ki aur lambi sans lekar bolna shuru kar diya.

Sarita- Di ko Manisha Anant ji se milane le gayi hai. maine bahut mana kiya tha par koi mera sunta hi nahi hai. Unhone mujhe yahi duty di thi ki main is kamre mein kisi ko tab tak na aane doon jab tak wo log laut kar wapas na aa jayein. Ye mera plan nahi tha. In sabke pichhe di aur Manisha ka hath tha. Aap plz mujhe kuchh matt kahiyega.

Sarita jab bol rahi thi to Nishchal bas use ektak dekhe ja raha tha. Apni baat khatam karne ke baad Sarita ne Darte Darte apni aakhe kholi to Nishchal ne poocha.

Nishchal- Hotal kaha par hai.

Sarita- paas mein hi hai.

Nishchal- Agar main yaha par nahi aata to pata bhi nahi chalta ki yaha par kya ho raha hai.

Nishchal ki baat sunkar Sarita ne kuchh nahi kaha, wo bas apni jagah par khadi rahi. Nishchal ne kuchh der Sarita ko dekha fir waha se nikal gaya. Nishchal ke is tarah chale jane se Sarita bahut pareshan ho gayi. Use dar satane laga ki kahi Nishchal ye baat Naina ji aur Mahendra ji ko na bata de. Isliye wo man hi man bhagwan ko yaad karne lagi.

Thodi der baad Savita Aur Manisha hanste khilkhilate huwe kamre mein aayi to Sarita ka chehra dekhkar dono chup ho gayi. Manisha ne Sarita se poochha.

Manisha- Kya huwa didiya. Kisi ne dekh liya kya ki di kamre mein nahi hain.

Manisha ki baat sunkar Sarita bhadak gayi aur Gussa karte huwe boli.

Sarita- Maine kaha tha na ki ye sab mat karo, lekin tumhe to bas apne man ka karna hota hai. Kar li apne man ki. Mil gayi tumhe tasalli.

Sarita ka gussa dekhkar Savita ne use shant karwate huwe kaha.

Savi- cool down Sarita. Pahle ye batao ki baat kya hai.

Sarita- Aapke bhai ko sab pata chal gaya hai ki Aap anant ji se milne gaye hain. Wo jabardasti room mein ghus gaye aur unhone sab dekh liya. Mujhe to bahut dar lag raha hai.

Savi- Bas Nishu ne hi dekha na.

Sarita- Haan di.

Savi- Nishu kisi se kuchh nahi kahega. Tumhe darne ki jaroorat nahi hai.

Sarita- Kaise na daru di. wo kamre se itne gusse mein gaye hain ki kahi wo shadi mein koi problems na create kar dein. Ab tak to ghar walo ko bhi pata chal chuka hoga ki aap Anant ji se milne gayi thi. (Manisha ki taraf dekhkar) tum gayi thi to apna phone lekar kyon nahi gayi thi.

Manisha- Wo jaldi jaldi mein phone le jana bhool hi gayi didiya. Are ye sab chhodo kaam ki baat suno. Jiju to aaj bahut hi katil lag rahe the. Unhe dekhkar to jaan hi nikli ja rahi thi aur apni didiya ko dekhne ke baad to unka chehra hi khil gaya tha.

Jab ye baat Savita ne suni to sharmate huwe bed par baith gayi. Manisha ne use Side se hug karte huwe kaha.

Manisha- Haan, lekin hamari didi bhi jiju se kam nahi lag rahi hain. Jiju to behosh hote hote bache.

Savi- (Abhar bhari najro se) Manisha Agar tum nahi rahti to shayad hi ham ek-doosre ko haldi laga pate, Kyonki ye milne milane wala plan to tumhara hi tha. Main bahut khush hoon.

Manisha- Didi when Manisha is here then there is no feer. Hahahahaha..

Savi- Haan wo to hai.

Savita se baat karte huwe Manisha ne dekha ki Sarita abhi tak chinta mein dikh rahi thi. to usne kaha.

Manisha- O meri chintan mata. Ab kis soch mein doobi hui ho. Ab sochna band karo. Kuchh nahi hoga.

Sarita- Tumhari yahi aadat mujhe pasand nahi hai Manisha. Tum kisi baat ko Mazak mein kyon leti ho. ye koi chhoti moti baat nahi hai. Sir ko sab pata chal gaya hai.

Manisha- Didiya. Ismein serious hone jaisa kya hai. haan Agar ye baat Boss ke alava aur kisi ko pata chalti to chinta wali baat thi. lekin boss ko hi to pata chali hai na ye baat. Aap kyon itni jaldi hypar ho jati ho.

Sarita- Tum abhi unhe thik se janti hi kaha ho. main unke sath kaam karti hoon. Hamesha mera unse samna hota raha hai. main unhe bahut achhe se janti hoon aur unke gusse se bhi wakif hoon.

Savi- Tumse jyada mujhe pata hai tumhare Sir ke bare mein. Agar Nishu ko kuchh karna hota to jab use pata chala tha ki main Anant se milne gayi hoon to wo ab tak kar chuka hota.

Manisha- Kisi ko janne ke liye hamesha sath rahne ki jaroorat nahi hoti didiya. Ek pal mein kisi ko jana ja sakta hai. agar us insan ko jan-ne ki koshish karo to. Aur main jaha tak boss ko janti hoon wah kabhi bhi apni bahan ka dil nahi dukhayenge.

Sarita bina kuchh bole kamre se bahar chali gayi. Poora din isi tarah bit gaya. Raat mein khane ki table par sabhi khana kha rahe the to Sarita ke paas Armesh aa kar baith gaya. Nishchal ne jab ye dekha to wah waha se hat gaya. Armesh ne Sarita se poocha.

Armesh- Ji aapko pahle kabhi dekha nahi maine. Aap Savi di ki kya lagti hain.

Sarita- Ji main unki dost hoon.

Armesh- Achha. Aisi dost bhagwan sabko de.

Sarita- Kya matlab.

Armesh- mera matlab ye hain ki aap ne jis tarah se har kaam mein di ki aur ghar ke har kaam mein madad ki hai wo koi apna hi kar sakta hai. ya wo jo khas ho.

Abhi Armesh ki baat khatam hi hui thi ki buwa ji bol padi.

Buwa ji- Are Rameshwa. Tum to kuchh kha hi nahi rahe ho. Sharmao mat ye apna hi ghar hai. khoob thoos thoos ke khao.

Armesh- Ji dadi ji.

Armesh ne ye baat apna sir hilate huwe kahi to Naina ji ne kaha.

Naina ji- Haan Armesh. Khoob khao piyo tabhi to ghar ka kaam karoge na.

Buwa ji- Rameshwa kyon kaam karega. Us naaspite se kaam le leti na din bhar ghar mein baitha rahta hai. haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki ye baat sabko buri lagi, Mahendra ji ne baat ko badalne ki garaj se kaha.

Mahendra ji- Chaliye buwa ji. Aapka khana ho gaya hai ab. Aap chalkar aaram kar lijiye.

Buwa ji- (Dakar marte huwe) Suno mahendarwa. Wo kya hai na ki 2-4 pudi aur tanik sabji alag se rakhwa dena. Man lo aadhi raat mein kisi ko bhookh hi lag gayi to. Haan nahi to batao jara.

Manisha- (dhire se) Kisi ko bhookh lage ya na lage par aapko jaroor lagegi.

Buwa ji- Kuchh kaha kya tumne chhokariya.

Manisha- Nahi to. Main to khana kha rahi hoon.

Buwa ji- Thik hai thik hai. Jyada bate nahi karni chahiye khana khate samay. Mera to ab ho gaya. Chalo mujhe apne thane pawane le chalo. Subah jaldi uthna bhi to hai. bahut kaam karne hain. Rameshwa Chalo hamara bister laga do. Haan nahi to batao jara

Manisha- (dhire se) Baat to aise kar rahi hain jaise sara kaam karne ki jimmedari inhi ke kandhe par hai. din bhar dakaar marti hui kursi todti rahti hain aur baate itni badi badi karti hain.

Buwa ji- Tu fir kuchh boli ladki.

Manisha- Main kuchh nahi kaha buwa dadi ji.

Buwa ji- Rameshwa chal mujhe kamre tak chhod de.

Manisha- (Armesh se) Waise aapka naam kya hai.

Buwa ji- Wo tum kyon puchh rahi ho.

Manisha- Aunty ji. Ohhh sorry Buwa dadi ji. Main isliye puchh rahi hoon Kyonki mujhe samajh mein nahi aa raha hai ki main inhe Ramesh kahkar bullaun ya Armesh kahkar.

Manisha ki baat sunkar Sabhi hansne lage. Manisha ne fir se kaha.

Manisha- Are bataiye bhi.

Buwa ji- Tujhe kyon batau. Aur tum hamare rameshwa ka naam kyon logi.

Manisha- Are buwa dadi ji. Agar mujhe inse koi kaam pad gaya ya Savi didi ne mujhe bol diya ki jakar Ramesh ko bulakar lao to main inhe Kya kahkar bulaungi. Isliye main puchch rahi hoon.

Naina ji- Are Beta. Uska naam Armesh hi hai. Buwa ji use Ramesh isliye kahti hain Kyonki Amresh Buwa ji ke Jeth ji ka naam tha. Ab ganv dehat mein To apne pati ka naam bhi aurte nahi leti fir bhi wo to Buwa ji ke jeth ji the. Isliye wo ise Ramesh kahkar bulati hain. Buwa ji ke hisab se Armesh Aur Amresh dono ek jaise naam hain na. isliye.

Manisha- Ohhhh Achha. Ye baat hai. Buwa dadi ji. Kya aapke jeth ji abhi hain??

Buwa ji- Nahi unko mare to kai saal ho gaye.

Manisha- Tab to Aap inhe Armesh naam se bula sakti hain. Par kahi aisa to nahi hai ki ki Armesh naam lene par wo aapko bhoot banker satate hain ki apne jeth ji ka naan kyon leti ho.

Buwa di- (dapatkar) Chup kar pagal ladki. Pata nahi kya kya bole ja rahi hai??

Manisha- Sahi to bol rahi hoon main. Aapne aise sabko confuse karke rakha huwa hai.

Sarita ne Manisha ko aage kuchh bhi na bolne ka ishara kiya to wah chup ho gayi. Manisha ki baat sunkar buwa ji ne kaha.

Buwa ji- Jinke paas dimag nahi hota. Unhe hi jo tumne abhi bola. Kaanfoos wahi hota hai.

Buwa ji ki baat sunkar Manisha apna munh dabakar hansne lagi. Sarita ne uska hath pakadkar use kamre mein chalne ke liye kaha to dono bahane kamre mein chali gayi. uske baad sabhi apne apne kamre mein sone ke liye chale gaye. Kyonki subah mehandi ke Rashm ki taiyari bhi to karni thi.[/color]


[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 83[/color]

[color=rgb(51,]Agli subah Sabhi jaldi sokar uthe. Mehndi ki Rasham thi Sabhi taiyariyo mein jute the. Buwa ji sabse pahle hi taiyar hokar aangan mein chauki lagakar baithi hui thi aur sabko order par order aur disha nidesh de rahi thi.

kabhi kisi Bhabhi ko pakadkar chaar baat suna deti to kabhi naina ji ko chaar baat sun-ni padti thi. isi bhagdaud mein samay bit raha tha. Sabhi taiyariya sham tak achhe se ho gayi.

Sham ko dholak ki thaap par menhandi aur sangit ke karyakram chal rahe the. Ek thaali mein 10-12 mehandi ke cone rakhe gaye the. Jo gulab ke phoolo se sajaya gaya tha. Sabse pahle buwa ji ne cone se Savita ke hatho mein kuchh banaya.

Savita ne ek dhani rang ka lahanga pahna huwa tha. Chehre par halka sa makeup kiya huwa tha. Buwa ji ke shubh karne ke baad parlar ki taraf se aayi ek ladki Savita ko mehandi laga rahi thi. Tabhi Manisha bhi waha aa gayi aur boli.

Manisha- Mujhe bhi lagwani hai mehandi.

Manisha ki baat sunkar Buwa ji ne munh bichkate huwe kaha.

Buwa ji- Tujhe badi jaldi hai mehandi lagwane ki. Pahle ghar ki bahuwe mehandi lagwa le. Fir bahar walo ka number aayega. Waise bhi abhi ladki khali nahi hai wo Savi bitiya ko mehandi laga rahi hai. to wo tumhe kaise mehandi lagayegi. Haan nahi to batao jara.

Buwa ji ki baat par Manisha ne kuchh bolna chaha, lekin Sarita ne uska hath pakadkar kuchh bolne se mana kar diya. Manisha ne kaha.

Manisha- Koi baat nahi buwa dadi ji. Main apni didiya se mehandi lagwaungi. Kya main is thali se ek mehandi ka cone le sakti hoon.

Ye baat Manisha ne Naina ji ki taraf dekhte huwe kaha to naina ji ne muskurate huwe apna sir haan mein hila diya. ye dekhkar Sarita ne kaha.

Sarita- Itni bhi kya jaldi hai Manisha. Sab ko lag jane do mehandi. Fir baad mein laga lena.

Manisha- Nahi didiya. Mujhe mehandi lagakar didi ke sath photo click karna hai.

Savi- Kya huwa Sarita. Jab wo kah rahi hai to laga bhi do use.

Sarita- Thik hai di.

Itna kahkar Sarita ne ek mehandi ka cone thali se utha liya aur Manisha ko mehandi lagane lagi. Thodi der baad Manisha ke hatho mein mehandi lag gayi to Manisha ne kaha.

Manisha- Didiya mujhe bahut joro se bhookh lagi hai plz kuchh khane ko lao na.

Sarita- (gusse mein) Mujhe tumhari yahi sab harkate bilkul bhi pasand nahi aati Manisha. Jab tumhe pata hai ki tumse bhookh bardast nahi hoti to tum pahle hi khana kha sakti thin a.

Manisha- Mujhe kya pata tha ki itna samay lag jayega mehandi ke function mein. Plz didiya bahut joro ki bhokh lagi hai. subah hi khana khaya tha. Ab to raat bhi hone wali hai. kuchh khane ko lao na didiya.

Manisha abhi bol hi rahi thi ki Ek Bhabhi ki najar Manisha ke hath par padi. Manisha ke hatho mein lagi mehandi ko dekhkar Bhabhi ne kaha.

Bhabhi- Aree waah Sarita ji. Aapne to bahut achhi mehandi lagayi hai.

Manisha- Bhabhi ji. Meri didiya multi talented hain.

Bhabhi- Wo to hain hai. kya aap mujhe bhi mehandi laga sakti hain Sarita ji. Kyonki itni bhid hai mehandi lagwane ke liye mera number kal subah hi aayega.

Bhabhi ji ki baat sunkar Sab hansne lage. Sarita ne kaha.

Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Isme puchhne wali kaun si baat hai.

Sarita ki baat sunkar Bhabhi ne apna hath aage badhaya to Sarita Bhabhi ke hatho mein apni kalakari dikhane lagi. Manisha Sarita ke paas se uthkar Savita ke paas chali gayi. Usne chachi ki ladki Deepali se kaha.

Manisha- Deepu. Meri aur didi ki ek sath ek photo click kar do.

Deepali ne photo click ki to wo photo Manisha ko achhi nahi lagi. Isliye Deepali ne lagatar 20-25 photo click kar li tab jakar Manisha ko santusti mili. Manisha ne Savita se kaha.

Manisha- Didi. Mujhe bahut joro ki bhookh lagi hai.

Savi- to jao kha lo. Halwai to khana bana hi raha hai.

Manisha ne Savita ki baat sunkar apne dono hatho ki taraf ishara karte huwe kaha.

Manisha- kaise khaungi?? Maine didiya ko bola to wo naraz ho gayi. ab to wo Bhabhi ke hatho mein mehandi laga rahi hain.

Savi- Ruko main Deepali ko kah de rahi hoon wo tumhe khila degi.

Manisha- Thik hai didi. Main kamre mein ja rahi hoon. Aap khana bhijwa dena Warna aapki param pujya buwa dadi ji ki najar mujhpar padi na to ho gaya bantadhar. Fir to mujhe upwas hi karna padega.

Savita uski baat sunkar khilkhilakar hansne lagi aur boli.

Savi- Thik hai jao main Deepali ko bhejti hoon khana lekar.

Savita ki baat sunkar Manisha ne Uske gaal chumte huwe kaha.

Manisha- Love you didi.

Savi- (muskurakar) Nautanki.

Savita ki baat sunkar Manisha hanste huwe kamre mein chali gayi. Savita ne Deepali se kaha to wo khana lene chali gayi.

Manisha kamre mein baithi huwi thi ki tabhi use Raghav ki aawaz sunayi padi.

Ragahv- main tumhare liye khana laya hoon. Kha lo.

Manisha- (hairani se) Tum?? Deepali kaha hai??

Raghav- Use chachi ji ne mehandi lagane ke liye bula liya hai.

Manisha- Tum sahi kah rahe ho na ki Deepali ko chachi ji ne bula liya tha mehandi lagane ke liye..

Raghav- main tumse jhooth kyon kahunga. Waise mehandi se yaad aaya. Tum apni mehandi to dikhao.

Raghav ki baat sunkar Manisha ne Khushi se apna hath aage karte huwe kaha.

Manisha- ye dekho meri didiya ne lagaya hai.

Raghav- Are waah. Sarita ji to is kala mein bhi mahir hain. Tum kuchh sikho apni bahan se.

Manisha- (itrate huwe) Mujhe jaroorat nahi kuchh sikhne ki. Iske liye meri didiya hain na.

Raghav- Achha. Lekin tumhari didi tumhare sath hamesha ke liye to nahi rahnegi na.

Manisha- (apna hath niche karte huwe) Nahi wo hamesha mere sath hi rahengi.

Raghav- Achha thik hai, ab lo khana kha lo.

Manisha- tum kya andhe ho ya andhe hone ka natak kar rahe ho.

Raghav- (chauk kar) Ye tum kya kah rahi ho.

Manisha- Aur nahi to kya. Main jo bol rahi hoon wo sahi bol rahi hoon. Tumhe dikh nahi raha hai ki mere hath mein mehandi lagi hui hai. ab main kya pair se khana khaungi.

Raghav- Ho sakta hai tum pair se bhi khana khati ho. Kyonki apni bahan ki tarah tum bhi to multi talented ho.

Itna kahkar Ragahv hansne laga to Manisha ne uski taraf gusse se dekhte huwe kaha.

Manisha- You???????

Raghav- Are bas bas. Ab gussa mat ho jana. Main khila dunga tumhe.

Manisha- Jaldi khilao mujhe bahut joro se bhookh lagi hai.

Raghav- Tumhe to ek ghante pahle hi joro ki bhookh lagi thi. Abhi tak joro ki hi bhokh lagi hai.

Manisha- Kyon pareshan kar rahe ho. khilao na.

Raghav Manisha ke paas baith gaya aur bed par plate rakh kar Manisha ko apne hatho se khana khilane laga. Khana khilate huwe Raghav ne kaha.

Raghav- waise to tumhari mehandi bahut hi achhi hai. par ye bich mein heart ke shap ke bich mein jo R likha huwa hai. uska matlab kya hai.

Raghav ke ye poochne par Manisha hadbada gayi. aur haklate huwe boli.

Manisha- Wo.woo. woo. To maine bas aise hi likhwa liya di se.

Raghav- Ohhh. Achha. Aise hi likhawa liya. Mujhe to laga tha ki kisi ke naam ka pahla word hai.

Manisha- Nahi to aisa kuchh bhi nahi hai.

Raghav- Mujhe to aisa hi lag raha hai. batao na kya hai is R ka matlab.

Manisha- Maine kaha na ki aisa kuchh bhi nahi hai. wo to bas maine aise hi likhwa liya.

Raghav- Nahi tum jhooth bol rahi ho. Kisi ka naam to hai is R se.

Manisha- Tum galat samajh rahe ho. kisi ka bhi naam nahi hai.

Raghav- Tum jhooth bol rahi ho.

Raghav ki baat sunkar Manisha ne Raghav ki ungli jo uske munh ke paas thi use apne munh mein bhar liya aur dant se kaat liya. Raghav ne Aauuuchhhhh ki aawaz ki aur kaha.

Raghav- Aaaaaauuuuuchhh. Ye kya kar rahi ho?? ek to main tumhe apne hatho se khana khila raha hoon. Upar se tumne meri ungli ko hi khana samajh liya hai.

Manisha- Jab main mana kar rahi hoon to tum baar baar kyon pooch rahe ho. ye usi baat ki saza hai.

Raghav- Ye achhi jabardasti hai tumhari.

Abhi dono baat hi kar rahe the ki Nishchal waha par aa dhamka. Usne dono ko aise dekh liya to bola.

Nishchal- Ye sab kya ho raha hai bhaai.

Abhi Raghav Kuchh bolta usase pahle hi Manisha bol padi.

Manisha- Dekhiye na boss. Ye mujhe thik se khana nahi khila raha hai. kuchh bol rahi hoon to ulta jabardasti kar raha hai.

Manisha ki baat sunkar jab Nishchal ne Raghav ki taraf dekha to Usne kaha.

Raghav- Meri taraf aisi nagaho se mat dekho. Ye khud hi itna bak bak kiye ja rahi hai ki mujhe kuchh bolne ka samay hi nahi de rahi hai. ulta tum aa gaye to meri hi shikayat laga rahi hai.

Raghav ki baat sunkar Nishchal ne Manisha ki taraf dekha. Fir Raghav ki taraf dekhte huwe kaha.

Nishchal- Ye baat to tumne bilkul sahi kahi Ki ye apne aage kisi ki sunti hi nahi hai. Ab dekho na Buwa dadi ji ki khatiya isne alag hi khadi ki hui hai. Buwa dadi ji ise dekhte hi aise bhagti hain jaise koi bhoot dekh liya ho.

Nishchal ki baat sunkar Ragahv hansne laga to Manisha ne gusse se apna munh bana liya to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Sorry chhote miya. Tum naraz mat hona. Bas tumhare sath thodi si maskhari kar raha tha. Savi di ko khana khilana padega kyonki Unke hatho mein mehandi lagi hui hai.

Raghav- Hmmm. Maine to di se poochha tha to unhone bola hai ki abhi thodi der mein khayengi. To maine socha tab tak is bhukkhad ko hi khila doon. Jo kab se bahut joro ki bhookh lagi hai ki rat lagaye ja rahi thi.

Manisha- (gusse mein) Kya kaha. Main bhukkhad hoon. Jao main nahi khati khana.

Raghav- Are yaar tum baat baat par naraz kyon ho jati ho. ab kya main tumhare sath Mazak bhi nahi kar sakta kya.

Manisha- Nahi tum mere sath Mazak nahi kar sakte. Main tumhari Bhabhi nahi hoon. Samjhe.

Raghav- (Aankh marker dhire se) To fir kya ho tum meri.

Manisha- (Najre nichi karke) Mujhe nahi pata. Ab tum shant raho nahi to boss se tumhari shikayat kar dungi.

Raghav- kar do na. main tumhare boss se darta thode hi hoon. Shayad tumhe yaad nahi hai to main tumhe bata doon ki tumhara boss mera bhaai hai.

Nishchal- (bich mein) Tum dono bas karo ab. Hamesha ladne par hi lage rahte ho. (apne man mein) Pata nahi meri lady don ne bhi kuchh khaya hai ya nahi. Par wo mere hath se khayegi bhi nahi.

Idhar Nishchal yahi sab soch raha tha aur Nishchal ki baat sunkar Raghav aur Manisha shant ho gaye the. Is shanti ko bhang karte huwe Raghav ne Manisha se poochha.

Raghav- aur khana hai.

Raghav ki baat sunkar Manisha ne apna sir na mein hila diya. Manisha ki baat sunkar Raghav muskurate huwe waha se chala gaya. Raghav ke jane ke baad Manisha ne Nishchal se kaha.

Manisha- Boss dekho meri mehandi kaisi lagi hai.

Nishchal- Bahut Achhi hai.

Manisha- kisne lagaya hai batao jara.

Nishchal- Mehandi wali ne lagaya hoga aur kisne lagaya hoga.

Manisha- Galat. Meri didiya ne lagaya hai.

Nishchal- (hairan hote huwe) Kyaa?? Sach mein.

Manisha- Aur nahi to kya main aapse jhooth bolungi.

Nishchal- Mujhe nahi pata tha ki lady don ko ye sab bhi bahut achhi tarike se aata hai.

Nishchal ki baat sunkar Manisha apni badai jhadte huwe boli.

Manisha- Aap bhool rahe hain boss ki wo meri didiya hai to use to ye sab aana hi tha.

Nishchal- (hanste huwe) Haan wo to hai. main to bhool hi gaya tha ki wo tumhari didi hai. kisi bhi mamle mein tum usase pichhe nahi ho. Achha ab tum aaram karo. Main bahar ka sab intejam dekhkar aata hoon.

Manisha- Waise aap yaha aaye kyon the.

Nishchal- Aaye kyon the ka kya matlab. Ab main apne hi ghar mein kahin aa ja nahi sakta kya??

Manisha- Are boss. Mera wo matlab nahi tha. Main to bas ye puchh rahi thi ki koi kaam tha kya aapko??

Nishchal- Nahi to. Wo di ne bheja tha ki dekh loon ki tumne abhi tak khana khaya hai ya nahi.

Manisha- Thik hai boss. Ab aap jaiye aur jate jate didiya ko bhi dekh lena.

Nishchal- Wo bhala kisliye??

Manisha- Aapne subah se didiya ko dekha nahi hai na. isliye.

Nishchal- (muskurate huwe) Tum bahut badmas ho chhote miya. Abhi tum aaram karo main jakar aata hoon.

Nishchal waha se nikal kar bahar aaya to aangan mein Sarita bhabhiyo se ghiri hui thi. sabhi bhabhiya usi se mehandi lagwa rahi thi. Sarita bhabhiyon ko mehandi laga rahi thi. uske balo ki ek lat baar baar aage ki or aa rahi thi. jisase Sarita ko dikkat ho rahi thi aur wah apne hath se baar baar apni lat ko apne kano ke pichhe kar rahi thi.

Sarita ka yah roop Nishchal ko itna achha lag raha tha ki wo apne dono hath bandhkar pilar ke Sahare tak lagakar ektak Sarita ko dekhne laga. Sarita ko bhi iska andaza ho gaya tha ki koi use dekh raha hai.

Sarita ne jab najar uthakar dekha to nishchal ko waha khade huwe paya. Nishchal ko apni taraf ektak dekhta pakar anayas hi Sarita ke hontho par muskan aa gayi. Sarita ko muskurata dekhkar Nishchal bhi muskurane laga. Tabhi Naina ji ne villan ka kaam karte huwe nishchal se poochha.

Naina ji- Nishu. Tum waha khade khade kya dekh rahe ho.

Nishchal- wo maa main ye poochhne ke liye aaya tha ki aap log khana abhi khayenge to main khana yahin lagwa deta hoon.

Nishchal ki baat sunkar Padosh ki ek dadi ne kaha.

Dadi- Nishu betwa. Tum kyon chinta kar rahe ho?? sabke aadmi apni apni biviyon ko khana khila denge.

Dadi ke aisa bolte hi sabhi log munh dabakar hansne lage to naina ji ne kaha.

Naina ji- tum pareshan mat ho Nishu. Sab lone mein hi kha lenge. Tum jakar aaram karo.

Tabhi buwa ji ne bhi apna munh kholte huwe kaha.[/color]


[color=rgb(51,]Buwa ji- Jinko abhi mehandi nahi lagi hai wo jakar khana kha lein. Uske baad wo mehandi lagwa lengi[/color].

[color=rgb(51,]Niana ji- Mehandi sabko lag chuki hai. bas main aur Sarita hi bache hain buwa ji.

Sarita- Aaiye Aunty ji main aapko bhi mehandi laga deti hoon.

Naina ji- Are nahi beta. Tum kab se sabko mehandi laga rahi ho. Ek to tumhari aadat nahi hai aisa kaam karne ki. Jiske karan tumhara hath bhi dard kar raha hoga. Tum rahne do. Main mehandi wali se lagwa lungi. Tab tak tum jakar khana kha lo.

Sarita ne paas mein baithi ek Bhabhi se kaha.

Sarita- Chaliye Bhabhi main aapko khana khila deti hoon.

Bhabhi- Are nahi Sarita ji. Abhi sab log jab khane lagenge to main kha lungi. Aise akele mein achha nahi lagta na.

Buwa ji ko mauka chahiye tha char baat sunane ke liye. Jo unhe mil gaya. Buwa ji ne kaha.

Buwa ji- hamare ghar mein ye sanskar nahi hain ki bahu pahle hi khana kha le aur saas bhukhi baithi rahe. Tumhare ghar mein ye sanskar honge. Hamara yaha nahi..

Sarita- mere kahne ka ye matlab bilkul bhi nahi tha.

Sarita ko ye baat kharab jaroor lagi thi, lekin usne koi reaction nahi kiya. Naina ji ne baat ko sambhalte huwe kaha.

Naina ji- Beta ab tum jao aur jakar khana kha lo. Uske baad aakar mehandi lagwa lena.

Sarita- Thik hai Aunty ji jaisa aap kahein.

Itna kahkar Sarita khana khane chali gayi.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 84[/color]

[color=rgb(51,]Naina ji ke kahne par Sarita khana khane chali gayi. khana khane ke baad jab Sarita wapas aayi to mehandi wali ne use pakad liya aur use apna hath aage karne ke liye kaha. Sarita wahi pilar ke sahare tak lagakar baith gayi aur apna hath aage kar diya. Mehandi wali ne use mehandi lagana shuru kar diya.

Ab tak sabhi log khana khane ke liye chale gaye the. Raghav ne Savita ko bhi khana khila diya tha. Aangan mein is samay bas Sarita aur mehandi wali hi baithi thi. Mehandi wali Sarita se baat karte huwe use mehandi laga rahi thi. thakan ke karan Sarita ko jhapki aane lagi aur uski aankh band ho gayi.

Tabhi kisi kaam se Nishchal udhar se gujra to uski najar Sarita par thahar gayi. Usne dekha ki Sarita Nishchint hokar so rahi hai. uske hatho mein mehandi lag chuki hai aur mehandi wali waha se jane wali hai to Nishchal ne uske kaan mein kuchh kaha to wo fir se Sarita ke paas baith gayi aur uska hath pakadkar dobara mehandi lagane lagi.

Thodi der mein Nishchal waha se chala gaya. Mehandi wali bhi waha se chali gayi. Naina ji ne Sarita ko jagaya aur kamre mein jane ke liye kaha. Sairta kisi tarah apne kamre mein pahuchi aur nidhal hokar apne bister par so gayi.

Agle din jab Sarita ki aankh khuli aur usne apne hatho mein dekha to wah chaunk gayi. Manisha bhi usi samay sokar uthi thi. Sarita ko aise chukte huwe dekhkar Manisha ne Sarita se poochha.

Manisha- Kya huwa didiya. Aap aise chaunk kyon gayi. Koi baat hai kya didiya. Aap apne hath ko aise kyon ghoor rahi hain??

Manisha ki baat sunkar Sarita ne apna hath uske aage kar diya. Uski hatheli dekhkar Manisha ne bhi apni hatheli uski hatheli ke paas rakh di. dono ke mehandi ka rang gahra Chadha huwa tha. Manisha ne kaha.

Manisha- Kya huwa didiya. Jaise tumhari mehandi chadhi hai waisi hi meri mehandi chadi hai.

Sarita- (hanth dekhte huwe) Lekin meri mehandi kabhi bhi itni gahari nahi chadhti hai. fir is baar ye itni gahri kaise chadh gayi hai??

Manisha- Isbaar isliye aisa huwa hai didiya kyonki tum mehandi jaldi lagati nahi ho aur agar lagati bhi ho to 10 minute se jyada tumhare hatho mein mehandi rahti nahi hai.

Aaj pahli baar tumhare hatho mein mehandi raat bhar rahi hai isliye iska rang chatak ho gaya hai. ab isme itna chaukne ki kya baat hai didiya. Ye to achha hi hai na ki ham dono ki mehandi ka rang chatak ho gaya hai.

Sarita- Haan wo pahli baar aisa huwa isliye main chaunk gayi.

Manisha- Aapna hath idhar kijiye mujhe mehandi ki design dekhni hai.

Sarita- (apna hath Manisha ke hath mein dete huwe) ye lo.

Manisha- Thikk hi hai par meri design se achhi aapki design nahi hai.

Sarita- To tumhe mehandi lagayi kisne hai ye bhi to dekho.

Manisha- Meri didiya ne.

Sarita- Achha chalo ab jaldi se utho. Aaj sangeet bhi hai. bahut sari taiyariyan bhi to karni hain sangeet ki.

Sarita ki baat sunkar Manisha ne apne hath ko apne hi sir par marte huwe kaha.

Manisha- Are haan.. mujhe to yaad hi nahi raha. Mujhe to ek kaam aur bhi karna hai.

Sarita- (use ghoorkar) Dekho Manisha is baar pichhli baar ki tarah kuchh bhi ulta siddha mat karna. Nahi to bahut marungi tumhe main.

Manisha- (acting karte huwe) Tumhe apni bahan par jara bhi bharosha nahi hai. Kya tumhe lagta hai ki tumhari bahan koi ulta siddha kaam kar sakti hai. Batao didiya. Kya tumhe aisa lagta hai.

Sarita- Mujhe lagta nahi hai. balki main 100% Sure hoon ki tumhare dimag mein kuchh na kuchh khurafaat chal rahi hai.

Manisha- (acting jari rakhte huwe) Nahiiii. Ye sun-ne se pahle main bahri kyon nahi ho gayi bhagwan. Ye kaisa ghor kalyug aa gaya hai. Ek bahan ko apni bahan par bharosha nahi raha. Kya hoga tumhare is sansar ka bhagwan.

Manisha ki baat sunkar Sarita ne uske sir par chapat lagate huwe kaha.

Sarita- Bas kar. Ab band kar apni nautanki. Nahi to ek lagaungi aur tu satyug mein pahuch jayegi.

Sarita ki baat sunkar Manisha uthkar waha se chali gayi. Jate jate wo apne man mein sochne lagi.

Manisha- Ab Aapka kya hoga buwa dadi ji. Aaj main aapki bolti na band kar di to mera naam Manisha urf chhote miya nahi. Bas dekhti jaiye aap.

Manisha ke jane ke baad Sarita bhi fresh hone ke liye chali gayi. thodi hi der mein dono fresh hokar bahar aa gayi. Sangeet ka karyakram dono pariwaro ka ek hi sath hone ka decide huwa tha, Anant ke papa ke kahne par ye karyakaram ghar mein na karke ghar ke paas ke hi bane huwe ek guest house mein iski vyavastha ki gayi thi.

Karyakram sanchalan ki sari jimmedari Manisha ne apne kandhe par le li thi. Sangeet ke karyakram mein kab kya kaisa karna hai ye Manisha ko dekhna tha. Sarita isko lekar bahut chintit thi. use lagta tha ki Manisha ye jimmedari thik dhang se nahi nibha payegi to usne Manisha se kaha.

Sarita- Manisha. Tumhe lagta hai ki tum Sangeet ki sari jimmedari achhe se nibha paogi.

Manisha- Haan. Main kar lungi sab.

Sarita- meri mano to anchoring ki jimmedari kisi aur ko de do. Isase tumhara workload kam ho jayega.

Manisha- Don't worry didiya. Main sab achhe se handle kar lungi. Aap bas mere dance ke baad ka sambhal lena.

Sarita- Thik hai main dekh lungi.

Sangeet ki function hone ke karan subah se hi bhagdaud machi hui thi. koi apni dersh ke liye bhagdaud kar raha tha to koi makeup ke liye bhagdaud kar raha tha. To kuchh log aise the jo dance ki rehearsal kar rahe the to koi kisi aur kaam se daud dhoop kar raha tha.

Manisha pahle hi haal ke liye nikal gayi thi kyonki Dance ki organizer wahi thi to ladke walo ke sath bhi coordination fit karna tha. Raghav bhi Manisha ke sath gaya huwa tha. Hall mein pahuchne ke baad Raghav ne Manisha ka hath pakda aur use ek kone mein le gaya. Manisha ne gussa dikhate huwe kaha.

Manisha- Kya kar rahe ho. mujhe yaha par kyon laye ho. mere paas abhi samay nahi hai kuchh bhi dekhne ka. Chhodo mujhe.

Manisha ki baat sunkar Raghav ne uske munh par ungli rakhkar use shant karwate huwe kahta hai.

Raghav- ssssshhhhhhhhhhhhh. Kitna jyada bak bak karti ho tum. Pahle meri baat to suno.

Itna kahkar Raghav ne Manisha ke aankho ke kono se thoda sa kajal lekar uske kano ke pichhe laga diya. Manisha ne usase aankho ke ishare se poochha ki ye sab kya hai to Raghav ne kaha.

Raghav- Tum itni khoobsurat lag rahi ho aaj ki tumhe meri najar na lag jaye. Isliye kajal lagaya hai tumhe.

Manisha- Apno ki najar kabhi nahi lagti. Thanky you. Aaj tumne mujhe ekdam mummy ki tarah kajal ka kala tika lagaya hai. Jab bhi main aur didiya kahi taiyar hokar jate hain to wo aisa hi karti hain. Tum na ekdam meri mummy ki tarah meri care karte ho.

Raghav- To Kya tum ab mujhe apni mummy banaogi kya.

Manisha- Chal hat pagal.

Raghav- Achhai ji. Main to hamesha tumhari care karunga. Har janam mein tumari care karunga. Har kadam par tumhara sath nibhaunga.

Manisha- Achha- Wo bhala kyon.

Raghav- Bas aise hi. Mujhe tumhare sath rahna, tumhari care karna bahut achha lagta hai.

Itna bolkar Raghav ne Manisha ke mathe ko chuma aur waha se chala gaya. Manisha ke gal sharm se tamatar ki tarah lal ho gaye. Manisha kuchh der tak wahi khadi hui Abhi jo kuchh bhi huwa tha wah sochkar muskura rahi thi.

Udhar ghar par Sarita taiyar hokar idhar udhar ghoom rahi thi. wo ghar ke chhote se choote kaam ko kar rahi thi. Ghar ke lagbhag Sabhi Sadasya hall mein chale gaye the. Naina ji udhar se gujar rahi thi to unhone Sarita ko kaam karte huwe dekha. ye dekhkar Naina ji Sarita ke paas gayi aur kaha.

Naina ji- Sarita beta. Tum abhi tak hall mein nahi gayi.

Sarita- Ji Aunty ji. Bas nikal hi rahi hoon thodi der baad. Kuchh kaam tha kya.

Naina ji- Kuchh kaam to nahi tha. Par tum jaogi kaise sabhi log to chale gaye hain yaha se.

Sarita- Main aapke sath hi chali chalungi.

Naina ji- Beta abhi mujhe hall mein chalne mein samay lagega. Abhi main pooja karungi uske baad hi waha par jaungi. Ruko main dekhti hoon. Kisi ko bhejti hoon tumhare sath .

Sarita- Thik hai Aunty ji.

Naina ji ye bolkar Sarita ko haal tak pahuchane ke liye kisi ko dhoondhne lagi. Tabhi Nishchal waha se gujra. Jo abhi tak hall mein nahi gaya tha. Use dekhkar Naina ji ne kaha.

Naina ji- Nishu beta. Jara sun-na.

Nishchal- Haan mummy ji.

Naina ji- Beta. Sabhi hall mein chale gaye hain, lekin Sarita bitiya abhi tak yahin par hai. tum aisa karo isako hall tak chhod do. Uske baad mujhe lekar chalna.

Nishchal ye sunkar bahut khush huwa ki use Sarita ke sath kuchh pal akele spend karne ka mauka mil raha hai to wo bhala aise mauke ko kyon hath se jane deta. Isliye usne kaha.

Nishchal- Chaliye Sarita ji.

Sarita ne bhi jyada na nukur na karte huwe nishchal ke sath ghar se bahar aa gayi. Nishchal jakar driving sheet par baith gaya. Sarita bhi car mein baith gayi. Nishchal ne car aage badha di. Aaj Nishchal Sarita ke chehre ko nahi baar baar Uske hatho ko dekh raha tha. Sarita ne bhi kai baar Nishchal ko aisa karte huwe dekha to usne poocha.

Sarita- Kyaa huwa. Aap baar baar mere hath ko aise kyon dekh rahe hain. Kuchh laga hai kya mere hath mein.

Nishchal- Kuchh nahi. Main to bas tumhari mehandi ka colour dekh raha tha.

Sarita- Achha. Ye baat hai.. mujhe pahli baar itni gahri mehandi chadhi hai.

Itna kahkar Sarita ne apni hatheli nishchal ke samne kar di. Nishchal uski hatheli dekhkar muskurane laga. Ye dekhkar Sarita ne usase poochha.

Sarita- Kya huwa aap muskura kyon rahe hain??

Nishchal- Kuchh nahi. Kuchhh purani baate yaad aa gayi thi.
(fir man mein) Kitna achha lag raha hai mera naam tumhari hatheli par. Mujhe nahi pata tha ki mera naam likh dene par tumhari mehandi itni gahari chadhegi.

Mere naam ki mehandi aakhirkar tumhari hatheli par lag hi gayi. tumhe to ehsas hi nahi hai ki mera naam tumhare hatho par likha hai lekin tum use dhoondh nahi paogi. Ye to sirf main hi dekh pa raha hoon. Us ladki ne mera nam itni safai aur bariki se likha hai ki kisi ko pata hi nahi chalega ki mera naam likha hai tumhari hatheli par.

Wahi car mein FM Redio par ek gana baj raha tha jo us setuation ko bahut shut kar raha tha.[/color]

[color=rgb(65,]Dil ye mera tumse kuchh kah raha hai suno na.[/color]


[color=rgb(65,]Dil ne tumko chun liya hai tum bhi isko chuno na.

Khwab koi dekhte hoon main tum bhi sapne buno na.
[/color]

[color=rgb(65,]Tum bhi mujhko chuno naa.[/color]

[color=rgb(51,]Gane ke bich bich mein Nishchal mudkar Sarita ki taraf dekh leta tha, lekin Sarita in sabse se bekhabar khidki se bahar dekh rahi thi. aise hi thodi der mein hall aa gaya.

Sarita jab utarne lagi to usne dhyan nahi diya. sheetbelt mein uske blouse ki dori fansi hui thi. jab Sarita car se utarne lagi to khichav ke karan uske blouse ki dori khul gayi. Sarita ko jab ye ehsah huwa to wo turant wapas apni sheet par baith gayi.

Doosri taraf se Nishchal car se utar gaya tha. Use Sarita ki setuation ke bare mein bilkul bhi andaza nahi tha. Wah bahar aakar doosri taraf ka dor kholkar Sarita ko utarne ke liye kahne laga, lekin Sarita apni sheet par jami rahi to Nishchal ne kaha.

Nishchal- Hall aa gaya hai ab niche utar jao.

Sarita- (dhire se) woo...wooo..

Nishchal- Are kyaa huwa tumhe. Itna dar kyon rahi ho.

Sarita- Wo. wo. ek problems ho gayi hai.

Nishchal- Are. Jisko dekhkar sari problem bhag jati hai usko kya problem ho gayi.

Sarirta- Mazak mat kariye Sir. I am serious.

Ye sunkar Nishchal turant uske paas aaya aur bola.

Nishchal- kya huwa??

Ab Sarita Nishchal se kaise kahe ki uske blouse ki dori khul gayi hai. wo Nishchal se bolne mein sakuchane lagi to Nishchal ne uska hath pakadkar usase kaha.

Nishchal- Kya baat hai batao mujhe.

Sarita- Manisha ko ya Bhabhi ko kisi ko bhi bula dijiye. Urgent hai.

Nishchal- Ab tumhe utarne ke liye Manisha aur Bhabhi ko bulane ki kya jaroorat hai. main utarta hoon na tumhe.

Sarita- Plzz.

Nishchal- Achha Achha thik hai main bulata hoon kisi ko tum yahi raho.

Nishchal ne abhi itna hi kaha tha ki Tabhi Sarita ka mobile bajne laga. Sarita ne dekha to call Manisha ka tha. Sarita ne call uthaya to Manisha ne kaha.

Manisha- Kaha ho didiya. Aur kitni der lagaogi aane mein. Main kab se aapka intezar kar rahi hoon.

Sarita- Manisha. Main yahi hoon hall ki parking mein/ Tum jaldi se bahar aa jao gadi ke paas. Meri blouse ki dori khul gayi hai.

Manisha- Thik hai didiya main aa rahi hoon.

Udhar Nishchal manisha ka phone try kar raha tha, lekin uska phone vyast aa raha tha to wo phone try karte karte haal ki taraf chala jata hai. jab wo Manisha ke paas pahucha to Manisha ko ek shararat sujhi aur usne kaam ka bahana banakar Nishchal ke sath chalne se mana kar diya aur Bhabhi ko bhi usne nahi jane diya. Manisha ki baat sunkar Nishchal wapas Sarita ke paas aa gaya.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
[color=rgb(0,]UPDATE- 85[/color]

[color=rgb(51,]Manisha ne Nishchal ke sath bahar aane se inkar kiya to Nishchal Wapas gadi ke paas aaya Sarita se kaha.

Nishchal- Sab kisi na kisi kaam mein lage huwe hain. Kisi ke paas bahar aane ka samay nahi hai isliye koi nahi aayega.

Sarita- Maine Manisha ko bhi phone par bataya tha phir bhi wo pata nahi kyon nahi aayi.

Nishchal- Manisha ko dekhkar aisa lag raha hai jaise uski hi beti ki shadi ho rahi hai. itni bhagdaud kar rahi hai. itna pareshan hokar sabko kaam de rahi hai ki poochho mat.

Nishchal ki baat par jab Sarita ne koi bhi reaction nahi diya to Nishchal ko laga ki jaroor koi serious baat hai isliye nishchal ne kaha.

Nishchal- Kya problem hai tumhe Sarita. Batao mujhe. Shayad main tumhari koi madad kar paaun.

Sarita- Nahi. Aap meri koi madad nahi kar payenge. Aap kisi ko bula dijiye.

Nishchal- Are yaar. Jab tak tum bataogi nahi ki tumhe problem kya hai to mujhe kaise pata chalega ki main tumhari madad kar paunga ya nahi.

Sarita- Kisi aur ko bula dijiye na Sir.

Nishchal- Aakhir baat kya hai mujhe batao.

Sarita- (pareshan hokar). Wo. woo mera riban khul gaya hai.

Nishchal- Haahahahahaaaaaa. Bas itni si baat. Tum to aise pareshan ho rahi ho jaise koi bahut badi baat ho gayi hai. Riban to main bhi bandh sakta hoon aur tum kah rahi ho ki main nahi kar paunga. Tum bhi na Miss Joshi.

Nishchal ko laga tha ki Sarita balo mein bandhne wale riban ki baat kar rahi hai, Use nahi pata tha kii Sarita apni blouse ke riban ki baat kar rahi hai. Nishchal ke aisa kahne se Sarita ne uski taraf dekhte huwe dhire se kaha.

Sarita- Aaappppp..

Sarita ke kuchh kahne se pahle hi Nishchal ne doosri side ka darwaza khola aur andar aa gaya. Andar aane ke baad Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- Lao riban mujhe do main bandh deta hoon.

Abhi Nishchal ne itna hi kaha tha ki uska phone bajne laga. Phone naina ji ka tha. Nishchal ne Sarita se kaha.

Nishchal- ek minute main phone le leta hoon. (call receive karke) haan mummy. Main pahuch gaya hoon. Bas 5 minute ruko main aa raha hoon, tab tak aap taiyar ho jao.

Itna kahkar Nishchal ne phone cut kar diya. Sarita turant apni pith sheet par satakar sidhi baith gayi. Nishchal ne Sarita ki taraf dekha aur uske balo ko dekhte huwe kaha.

Nishchal- Tumhara juda to bandha huwa hai. fir riban kaha lagana hai.

Sarita- (man mein) Kinte bhole hain Sir. Inhe pata hi nahi hain ki main kis riban ki baat kar rahi hoon.

Ye baat sarita ne apne man mein kahi. Sarita ko kuchh na bolte huwe dekhkar Nishchal ne kaha.

Nishchal- Ab bolo bhi.

Sarita- (man mein) Mujhe hall mein pahuchaye bina to ye jayenge nahi. Udhar aunty ji bhi inka wait kar rahi hain. Manisha ki bachhi bhi bahar nahi aa rahi hain. Kya karun main. Sir se hi bandhwa loon. Nahi ye thik nahi hai. kahin sir ko bura lag gaya to. Lekin aur koi option bhi to nahi hai. sir se hi help leni padegi.

Sarita soch rahi thi tabhi use Nishcahl ki aawaz fir se sunayi padi.

Nishchal- Ab bologi bhi ya aise hi baithi rahogi.

Nishcahl ki aawaz sunkar Sarita doosri or ghoom gayi. ab Sarita ki pith Nishchal ke samne aa gayi. Sarita ne Deep gale ka blouse pahna huwa tha. Jiske karan uski gori bedag pith nishchal ki aankho ke samne aa gayi. Ek pal ke liye nishchal thahar sa gaya. Sarita ne ghoomne ke baad Nishcahl se kaha.

Sarita- Ye dori bandhni hai.

Sarita ki aawaz sunkar Nishchal hosh mein aaya aur usne turant apni najarein nichhi kar li aur car se utarte huwe bola.

Nishchal- Tum ek minute ruko main Chhote miya ko bhejta hoon.

Sarita- Koi baat nahi sir. Aap hi bandh dijiye.

Nishchal- Main. main kaiseee bandh sakta hoon.

Sarita- Kyon Abhi to bol rahe the ki aap meri riban bandh denge.

Nishchal- mein to wo.. balo ke riban ke bare mein bola tha.

Sarita- Mera ye riban khula hai. ab bandh dijiye.

Nishchal- Lekin main kaise.

Sarita- Apne hath se bandhiye aur kaise bandhenge.

Nishchal- nahi ruko. main Manisha ko bula deta hoon.

Sarita- Aap waha jayenge to wo fir se natak karegi. Maine use sab bataya tha, lekin fir bhi wo nahi aayi, isase to achha hai ki aap hi bandh dijiye. Kyonki ghar par aunty ji aapka intezar kar rahi hain.

Nishchal- (sakuchate huwe) Thhikkkkk. thikk hai.

Nishchal fir se gadi mein baith gaya aur uski pith tak apna hath le gaya aur fir se turant wapas kheech liya aur bola.

Nishchal- Main nahi kar paunga.

Sarita- jaldi kariye Sir. Aap aise kyon sharma rahe hain. Sharmana to mujhe chahiye.

Nishchal- Hmmmmmmm.

Nishchal ke munh se aawaz nahi nikli. Usne thodi himmat karke dono dori ko apne hatho mein pakad liya aur bandhne laga. Dori bandhne ke bich mein jab jab Nishchal ke hatho ki ungliya Sarita ke pith ko chhu jati thi to dono ki aakhe apne aap band ho jati thi. Nishchal ke Sparsh se hi Sarita ke jishm ke roye roye khade ho gaye the.

Yahi haal Nishcahl ka bhi tha. Dono ka haal is samay ek jaisa hi tha. Dono ke man mein gudgudi ho rahi thi. Sarita ne appe man mein kaha.

Sarita- Main jab bhi sir ke kareeb rahti hoon mujhe pata nahi kya ho jata hai. pata nahi kyon mujhe itna ajeeb sa mahsoos hota hai. us din bhi jab main inke gale lagi thi to kuchh aisa hi mahsoos huwa tha.

Sarita ki soch par Nishchal ki aawaz ne viram laga diya.

Nishchal- Ho gaya.

Nishchal ki aawaz sunkar Sarita jaise hi car se utarne ko hui. Nishchal ne uska hath pakadte huwe kaha.

Nishchal- ek minute ruko. Ye tumhara lahanga niche fansa huwa hai. Abhi fir tumhari dori khul jayegi.

Itna kahkar Nishchal ek jhatke se niche jhuka aur uske lahange ko sahi karne laga. Lahnga sahi karne ke baad uthate samay Nishchal ke hotho se Sarita ki gori bedag pith touch ho gayi. Nishchal ekdam hadbada gaya aur jhatke se alag ho gaya.

Idhar apni pith par Nishchal ke honth padte hi Sarita ki to jaise sanse hi tham gayi thi. Sarita ekdam jadwat ho gayi thi. dil ki dhadkane itni tez chal rahi thi ki unhe kabu mein karna mushkil ho gaya tha. Nishchal ne haklate huwe kaha.

Nishchal- Mu..mujjj.mujhee maafff kaa kaarr dooo. Joo jo bhhiii huw..huwaa haiii.. jalll..jaldbaziiii mein hu.huwaa haiii. Plzzzzzz mu..mujhhee galaaatt ma...matt samajhhnaa.

Sarita to jaise kuchh sun hi nahi rahi thi. ya yuun kahe ki use kuchh sunai hi nahi de raha tha. Sarita ne Nishchal ko bina kuchh kahe hi car ka darwaza khola aur hall mein jane lagi.

Nishchal ko laga ki shayad Sarita uski Anjani galti ke karan usase gussa ho gayi hai isliye usne uski bato ka koi jawab nahi diya. wah turant car se bahar nikla aur pichhe se Sarita ko aawaz dete huwe kaha.

Nishchal- I Am soryyy Miss Joshi. Galti se ho gaya wo.

Lekin Sarita ne Nishchal ko koi jawab nahi diya. Usne badi mushkil se apne aapko sambhala aur waha se chali gayi. Sarita ne ek bhi baar Nishchal ki taraf mudkar dekhna jaroori nahi samjha. Nishchal ko apnea aap par gussa aa raha tha ki usase aisei Anjani galti ho kaise gayi. usne apne hath ko car ki bonat par marte huwe kaha.

Nishchal- Shittt yaar. Ye sab kya ho gaya. Maie sach mein jaanbujhkar aisa nahi kiya. Ye sab galti se ho gaya. Use lag raha hoga ki maine ye sab janboojhkar kiya hai.

Udhar Sarita chalti hui hall mein pahuch gayi. Manisha use dekhte hi uske pass aayi aur boli.

Manisha- Kya huwa didiya. Tum itni khamosh kyon ho.

Sarita- Kuchh nahi huwa.

Manisha- Batao na didiya. Sharmao nahi.

Manisha ne uske kandhe par apna hath rakhe huwe kaha. Manisha ki baat sunkar Sarita ne apni aankhe band kar li. Sarita ko wahi sab yaad aane laga jo kuchh der pahle parking mein hua tha. Manisha ne Sarita ko dekhkar fir se poochha to Sarita bina koi jawab diye waha se chali gayi. Manisha ne apne man mein kaha.

Manisha- didiya ko kya huwa??? Baad mein iska pata karti hoon pahle sab taiyari to dekh loon.

Nishchal bhi Naina ji ko lekar hall mein aa gaya tha. Ab tak dono pariwar saj dhaj kar hall mein aa chuke the. Poore hall ko phulo se sajaya gaya tha. Gulab, genda, gulmohar aur bela chameli ke phulo se poora hall mahak raha tha. Samne ek Dance floor bana huwa tha. Uske thik samne thodi door par ek bada sa sofa rakha huwa tha.

Ab ye batane ki jaroorat nahi hai ki wo sofa weding jode ke baithne ke liye tha. Jise phoolon se sajaya gaya tha. Uske Samne dher sari kursiya rakhi gayi thi. dono paksho ne ek doosre ka abhiwadan diya aur apni apni jagah par virazman ho gaye.

Sabse pahle baat karte hain hamari weding jode ki to Savita ne nevi blue colour ka lahanga pahna tha aur Anant ne nevi blue colour ka 3 peace shoot pahna tha.

Sarita ne Pink colour ka lahanga to Nishchal ne kreem colour ka 2 peace shoot pahna tha. Manisha ne ek black colour ka goun pahna tha aur Raghav ne black and white ke combination ka shoot pahna tha jo ki Manisha ne apne lahange ki colour coding kahkar use jabardasti pahnaya tha.

Anant ki bahan Charu jo Sagai mein Nishchal par lattu ho gayi thi aur uske aage pichhe ghoom rahi thi. wo bhi waha maujood thi aur sabse mil rahi thi. uski najar baar baar Nishchal ke upar jakar thahar jati thi. .

Nishchal to bas Sarita par hi mohit tha. Wo bas Sarita ko hi ektak dekhe ja raha tha. Use Waha par upasthit kisi aur ladki se koi matlab hi nahi tha. Lekin Sarita apne mein busy thi. wo Nishchal ko ignor kar rahi thi.

Kuchh der baad Manisha ne sanchalan ki jimmedari sambhalte huwe kaha.

Manisha- Hello. Gud evening everyone. Shuru karte hain aaj ke sangeet ka karyakram. Is karyakram ko itna yaadgaar bana dena hai ki hamare dil mein iski chap hamesha ke liye rah jaye.

To sabse pahle hamari taraf se aa rahi hain ladki ki buwa dadi aur ladko ki taraf se aa rahe hain Ladke ke munhbole fufa ji. So big hand to Buwa dadi aur muhbole fufa ji.

Buwa ji- Are Chhokariya. Hamkaa kahe bula rahi hai. Hamko to kisi dusre ke sath danas karne ke liye kahaa tha tumne. Haan nahi to batao jara.

Manisha- Aapke partener badal diya gaya hai buwa dadi ji. Ab aapko fufa ji ke sath hi dance kahna hoga.

buwa ji iske lie taiyaar nahin ho rahi thi lekin sabke samjhaane aur jor dene ke baad wo taiyar ho gayi. [/color]
[color=rgb(51,]buwa ji apni chatakdar cotton ki sadi sambhalte huwe dance floor par aai aur idhar udhar dekhne lagi. Shayad wo kisi ko dhoondh rahi thi. [/color]

[color=rgb(51,]unke pichhe pichhe fufa ji bhi apni chamakdar safed dhoti sambhalte huwe dance floor par aaye. Buwa ji man mein badbadate huwe kaha.[/color]


[color=rgb(51,]Buwa ji- Ye Muwa kya kar raha hai?? hame jiske sath gana karna tha wah dikh hi nahi raha hai. haan nahi to batao jara.

Udhar fufa ji buwa ji ke bagal mein khade hokar soch rahe the.

Fufa ji- Us ladki ne to kaha tha ki bas hame jakar kamar hilana hai aur aage pichhe ghumna hai, lekin ye to hame aise ghoor rahi hai jaise hame kachha hi kha jayegi.

Abhi dono ye soch hi rahe the ki tabhi gana bajna shuru ho gaya. Buwa ji ne furti dikhate huwe apni position le li aur dance karne ke liye ready ho gayi. fufa ji bhi unke pichhe aakar khade ho gaye. Gana bajne laga.[/color]

[color=rgb(65,]Ho ho ho ho.[/color]

[color=rgb(65,]Ude jab jab julfe teri ude jab jab julfe teri kanwariyo ka dil machle [/color]
[color=rgb(65,]Kanwariyo ka dil machle jindmeriye.[/color]

[color=rgb(51,]Fifa ji bhi buwa ji ke pichhe khade hokar dance karne lage aur gane lage.[/color]

[color=rgb(65,]Jab aise chikne chehre, jab aise chikne chehre.

To kaise na najar fisale. To kaise na janar fisle jindmeriye.[/color]

[color=rgb(51,]Fufa ji ka to fir bhi thik tha par buwa ji ne fufa ji ko ghoor ghoor kar jo dance kiya ki unka dance dekhkar sab lot pot ho gaye aur hansne lage. Kabhi buwa ji fufa ji ko munh bichka kar dekhti to bechare fufa ji doosre side aa jate to kabhi wah doosri or munh karke thumko lagale. Sabhi ko is dance mein bahut maza aaya.

Jab gana khatam huwa to buwa Akar Naina ji ke paas baith gayi. naina ji ne buwa ji se kaha.

Naina ji- Buwa ji. Aapne bahut hi achha dance kiya.

Buwa ji- Are Chup kar Savi ki amma. Pata nahi us naaspite ko kisne bhej diya mere sath dance karne ke liye. Muwe ne sara gana kharab kar diya. haan nahi to batao jara.

Naina ji- Nahi buwa ji. Aap dono ne sach mein bahut achha dance kiya.

Buwa ji- Agar wo muwa na hota to main aur bhi achha dance karti.

Naina ji- Thik hai buwa ji. Main Manisha ko bolkar Aapke liye Akele ka gana bajwati hoon. Is baar aap akele hi jaiyega.

Buwa ji- Are Nishuwa ki amma. Meri kamar tudwayegi kya. Dekh nahi rahi hai ki meri halat ek baar mein hi kharab ho gayi hai. haan nahi to batao jara.

Buwa ji aur Fufa ji ki performance ke baad Manisha fir se stage par aayi aur boli.

Manisha- Wahh Wahhh Wahhha. Buwa ji aur fufa ji ne to is mahaul mein aag laga di hai. In dono ki aag lagane wali shandar performance ke baad Ab bari aati hai ladki ke mummy aur papa ki. To big hand for Mummy and papa.

Manisha ki baat sunkar Sabhi jor jor se taliya bajane lage. Mahendra ji aur Naina ji Stage par aa gaye. Mahendra ji ne apne hath mein mike lete huwe kaha.

Mahendra ji- (Bhavuk hote huwe) Samajh mein nahi aa raha hai ki main kya bolu. Kal Savita ki shadi ho jayegi. Kal tak jo chhoti bachhi thi pata hi nahi chala ki kab wo itni badi ho gayi hai.

Apne papa ki baat sunkar Savita ki aankho mein anshu aa gaye. Mahendra ji aage bolte huwe kaha.

Mahendra ji- (rundhe huwe gale ke sath) Mujhe nahi lagta ki main isse jyada kuchh bol paunga. Is liye ham dono apni taraf se Savita ke liye ek gana pesh kar rahe hain.

Itna kahkar Naina ji aur Mahendra ji ne gana shuru kar diya.[/color]

[color=rgb(65,]Kal tak jo nanhi si lali thi.[/color]

[color=rgb(65,]Komal si juhi ki kali thi.
Kal tak jo nanhi si lali thi.

Komal si juhi ki kali thi.

Wo totali boli are kitni bhali thi.

Wo jiski sima bas ghar se gali thi.

Kya ye wahi ladki hai.

kya ye wahi ladki hai.
[/color]

[color=rgb(65,]Kya ye wahi ladki hai.

kya ye wahi ladki hai.[/color]

[color=rgb(51,]Gana sunkar Savita ki aankhe bhar aayi thi. dono gate huwe Savita ke paas aaye aur uske aanshu pochh kar usko gale se lag aliya.

Sabhi ne jordar taliya bajayi. Gana khatam hone ke baad mahendra ji aur naina ji apni jagah par aakar baith gaye. Manisha ne fir se mike sambhalte huwe kaha.

Manisha- Are Are Mahaul to thoda serious sa ho gaya hai. par Aunty aur Uncle ne bahut hi shandar performance di hai. Ab Bari aati hai Ladke walo ki aur unki taraf se aa rahe hain didi ke hone wale pujya Sasur ji aur Sasu maa.

Anant ke mummy aur papa bhi Stage par pahuche aur unhone bhi apne bete aur bahu ke liye gana gaya.[/color]

[color=rgb(65,]Chuna hai ek duje ko tumne[/color]

[color=rgb(65,]Lakho mein karodo mein.

Joda amar ho tumhara
Pyar bhare har jode mein.

Mausam aaye Mausam jaye
Tumhara jeewan aur sajaye.

Samay ki dhara mein
Ham to bah jayenge.

Hamare bol tumhare
Sang mein rah jayenge.

Wah maryada wah Parampara
Jo hamne nibhayi hain.

Wah ye bhi nibhaye
Bas yahi kahna hai.

Yahi kahna hai
Yahi kahna hai.
[/color]

[color=rgb(51,]
Manisha jor jor se huting karne lagi. Sabne jordar taliya bajakar gana khatam hone par Abhinandan kiya. Gana khatam hone ke baad Anant ke mummy papa apni jagah par jakar baith gaye.

[/color]

[color=rgb(0,]Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..[/color]
 
Back
Top