Update 1
Hotel Royal Palace ke swimming pool ke paas bane garden main aaram se baith kar Ajit Deshmukh swimming pool par jama huyi, alag alag rang ki bikini pehni pariyo ko ektak dekhe ja rahe the.. Bharat ka sampurna saundrya mano usi jagah jama hua hai aisa bharm nirman ho raha tha, Nahi.. wo sirf bharm nahi tha balki satya tha.
tahndi thandi mand pawan beh rahi thi kuch duri par samundar tha to uski lehro ka dhirgambhir awaj aa raha tha, halke halke sangeet ki dhun kano main baj rahi thi aur aise main swimming pool main ekdusre par pani uda kar khelti wo pariya aur bhi jyada khoobsurat lag rahi thi....
Ajit ka sara dhayan us or tha lekin uske man main kuch alag hi khayal ghum rahe the....Aaj agar uska naseeb acha raha to wo marne se bach jayega lekin kal ka koi bharosa nahi....usi sham kisi ne uspar goli chalayi thi aur use apni maut ke kareeb se darshan ho gaye the....halanki use isme kuch naya nahi laga. achanak aane wali maut uske kaam ka avibhajya hissa thi aur is baat ko usne accept bhi kiya tha lekin kuch log use uska kaam bhi shanti se kyu nahi karne dete is baat ka vichar uske dimag main ghum raha tha...
maharashtra ke gujrat-maharashta border par samundar ke kinare base huye bordi gaon ko naye se maharashta ke paryatan vibhag ne picnik and tourist spot banane ka decision liya tha aur isi ke antargat dahanu-bordi bhag ke paryatan ko aur mashoor banane ke liye waha 17 acre ki jagah main faile Hotel Royal Palace ki or se kuch khas logo ke liye hotel ke inaugration ke pehle ek badi party ka ayojan kiya gaya tha. Suit, deluxe suit, presedintian suit, conference hall, amusement park, boating, swimming, fishing aisi sab bate waha upalabdh thi. 270 crore rupaye kharch karke us hotel ko banaya gaya tha aur party ke liye kareeb 200 log waha maujood the, alag alag rang ke alag alag pehrav wale logo se mano aisa lag raha tha waha koi fashion parade chal rahi to...
aaj raat ki party aam logo ke liye nahi thi agar aisa hota to ajit ko waha aane ki jarurat hi nahi padti lekin aaj ka program kuch VVIP logo ke liye hi tha. dusre din official inaugration hone ke baad Hotel Royal Palace tamam logo ke liye khulne wala tha lekin usse pehle aaj ke program ke liye waha bade bade politician, bade bade businessman aur bahut hi important kuch log waha aaye the, T.V. reporters bhi waha kafi sankhya main upasthit the. In logo ke swagat ke liye Hotel ke 6 alishan bar open kar diye gaye the, dono swimming pool ke paas bane lawn main buffet ki vyastha ki gayi thi, Gane ke liye khas naamcheen music director aur playback singer ko invite kiya gaya tha aur usi samay 'Royal Queen' naam se beauty compition ka ayojan kiya gaya tha.
pehle teen vijetao ka pachas, tees aur bees lakh ka iman ghoshit kiye gaye the aur isi main bhag leke ke liye sare bharat ka sundar ladkiya waha ikattha hui thi.
Ajit bhi isi compitition ki wajah se waha aaya tha, is beauty compition ke judge ki haisiyat se wo waha maujood tha,
Yahi uska cover tha!!!!