sexstories

Administrator
Staff member
◆ Update 1 ◆

Ghani andheri raat thi sunsaan road.... Aise main mumbai se nikli huyi us private bus ka driver sakharam ne highway par door ek car ke paas hath hilate huye ek bande ko dekha aur us khade insan ko dekh kar usne apni gadi ki raftar kam ki aur gadi ek side main roki.....waise to sakharam raat beraat ko kisi ke liye gadi nahi rokta tha lekin band padi huyi car aur ache khase kapde pehne huye us aadmi ko dekh kar usne man main koi doubt nahi aaya aur usne bus roki....

"boss...gadi band pad gayi hai age ke kisi gaon tak lift milegi kya waha ke garage se kisi macanic ko le aaunga.."
us insan ne sakharam se kaha.....

sakharam- ha..ha thik hai chalo chod deta hu dekho ander baithne ki jagah hai kya to nati to yaha cabin main hi baithna padega...

skharam ki baat sun kar us aadmi ko thodi rahat mili usne bus main ander chad kar dekha to uska naseeb acha tha use waha ek seat khali mil gayi..

apne bagal ki seat par kon baitha hai ye usne bus ke light ki mand ujale main dekhne ki koshish ki....uske bagal main kareb 25-26 sal ki ek ladki aankhen band kar ke so rahi thi...usne apne handbag main se shawl bahar nikali aur apne uper lapet kar wo waha baith gaya bahar ki thand ke hisab se gadi main thodi garmi thi......

kuch hi samay main gadi ne fir se raftaar pakar ki....khidkiyo ain se bayanak thandi hawa ander aane lagi...us ladki ye baal us hawa main us ladke ke chehre ke as paas ud rahe the aur us bande ko wo hawa ki thandi sahan nahi ho rahi thi akhir kaar usne majburi main us ladki se kaha...

"aap please wo khidki band kar dengi bohot thand lag rahi hai....."

us ladki ne uski or dkhe bagair ki khidki band ki aur fir se so gayi.....

gadi main ke sabhi lights ab band ho chuke the shayad sabhi passengers so chuke the....bus ka awaj...beech beech main se jane wale truck ka awaz uske lights ki roshni...kahi to bhi thodi si khuli khidki ki gap e aane wali hawa ka awaz sab kuch ek taal main chal raha tha...gadi main ab achi khasi garmi nirman ho gayi thi wo ladka bhi us shawl ko apne sharir ke ird gird majbuti se lapet kar so chuka tha....

kuch teen char ghante beete honge use neend lage huye itne main achanak uski neend tuti...uske hath ko kisi ke thandegaar hath ka sparsh hua tha....uske hath par uske baju main baithi huyi ladki ka hath tha.....

usne ek baar us ladki ki or dekhawo ab bhi neend main hi thi thand ki wajah se uske hath thande pad chuke the...

usne halke se us ladki ka hath utha kar baju main rakh diya..kuch samay baad fir se uski ungliyo ko uske thande hato ka sparsh hua usne aankhen khol kar uski or dekha to wo ab bhi so rahi thi is baar usne apna hath baju main sarka liya....

kuch samay baad fir se uski ungliyo ko us ladki ke hath ka sparsh hua usne fir se uski or dekha to to bagal se jane wale ek truck ke headlight us ladki ke chehre par padi to ek pal ko to wo ladka seham gaya......

'wo uski or hi dekh rahi thi......

matlab ye sare sparsh jaan-bujh kar the.....

is baar wo bhi piche hatne wala nahi tha usne apna hath uske hath ke niche sarka diya.....us ladki ke hato ki ungliya us ladke ke gaam hath se chipak gayi.....

wo thanda spash us ladke ke sharir par ek thandi laat faila raha tha..uska hath na chahte huye bhi apne sharir ki garmi uske hath ko dene ki koshish kar raha tha....

kuch samay ke baad uske apne hath ki pakad dheeli ki...usne uska hath chod kiya...ab uski ungliya uske manga se lekar khande tak najukta se ghoom rahi thi ....aur wo sparsh us ladke se sharir par kate la raha tha....uske kaan garam ho gaye the..itne garam ki usne apna dusra garam hath kaan par rakha to wo bhi use thanda laga.....

wo is sukh ke adhin ho gaya tha bus ko lagne wale jhatke khadkhadahat use kuch bhi mehsoos nahi ho raha tha....us ladki ke bas ungliyo se sparsh se hi us ladkle ke sharir ka har ek snayu uttejit ho gaya tha.......

achanak gadi ko kisi cheej ka jordar dhakkar baith aur wo ek side khadi ho gayi....bus ka xcel toot gaya tha....jab gadi main ki lights jali tab us ladke ki tandri tooti aur usne apna hath baju main kiya....

Cleaner ne gadi main aa ke ghoshna ki ke gadi ko thik hone main thoda waqt lagega...uski baat sun kar adhe log to wapis so gaye aur baki ke log guthka cigarette ke liye niche utar gaye.....

 
* Update 2 *

achanak gadi ko kisi cheej ka jordar dhakkar baith aur wo ek side khadi ho gayi....bus ka xcel toot gaya tha....jab gadi main ki lights jali tab us ladke ki tandri tooti aur usne apna hath baju main kiya....

Cleaner ne gadi main aa ke ghoshna ki ke gadi ko thik hone main thoda waqt lagega...uski baat sun kar adhe log to wapis so gaye aur baki ke log guthka cigarette ke liye niche utar gaye.....
------------------------------------------------------------
waha baithi huyi wo ladki bhi niche utar gayi aur waha se uthe waqt uske sharik ka us ladke ko hua hua sparsh us ladke ke sharir par ek bijli lehar dauda gaya..us ladki ke sharir se aane wali mand khushboo uske sare senses ko uttejit kar rahi thi...

usne khidki main se jhuk kar dekha ki wo ladki kaha ja rahi hai to usne paya ke raste ke dusri or thodi door kuch lights dikh rahi thi usne waha ke tubelight ke ujale main waha ka naam padha..'sujit lodge'

us ladki ne ek baar uski or palat kar dekha aur fir piche na dekhte huye aage chalne lagi...ab us ladke ke man main chal bichal suru ho gayi thi...wo uth kar khada hua aur niche aa kar cleaner ko pucha..

"andajan kitna time lagega boos isse thik hone main??" usne cleaner se pucha..

"kareeb ek dedh ghanta to lagega hi sir.."us cleaner ne jawab diya

"acha thik hai main hu yahi.." aisa bol kar wop us ladki ke piche piche jane laga..

vatavaran main mahol main achi khasi thandi thi lekin tezz hawaye ruk gayi thi sare jhad ab stabdh ho gaye the..usne asmaan main ek najar dali to chand ab badlo ke piche chip gaya tha....asman bhar aaya tha mano kisi bhi pal uske uper gir jayega...

wo ab bhi bagair piche dekhe chal rahi thi..

street lights ki rosni main us ladke ni narah us ladki ke pure sharir par fir rahi thi..sudaul badan...sahi jagah aaya hua sahi aakar...uska dhayan khud ki or kheech raha tha..aur wo uski or khicha ja raha tha..

wo lodge main gayi aur waha ke counter ke paas ja kar khadi ho gayi..

kaan-topi, mufler odha hua counter par ka aadmi use dekh kar bade hi alas ke sath utha

"bhaiya meri bus band ho gayi hai aur ek do ghante thik hogi aisa lagta nahi hai...meri tabiyat bhi thik nahi hai saise main kuch ghanto ke liye room chahiye thi" dur khadi band bus ki or ishara karte huye us ladki ne kaha..

us counter par ke aadmi main drawer main se ek chabi nikali aur us ladki ko di aur uski details likhne ke liye ek ragister uske samne kiya ki tabhi uski najar mand ujale main darwaje ke paas aate huye us ladke par padi to use sara majra samajh main aa gaya usne ragistar band kiya aur chehre par chader odh kar fir se so gaya..

wo ladki ab seedhiyo se uper ja rahi thi aur wo ladka uske piche piche...

'103' room ke samne aake wo ruke us ladki ne apne paas ki chabi se darwaja khola aur dono ander aane ke baad usne darwaja band kar diya..ab wo us ladki ko pure prakash main dekh raha tha uski aankhon main kuch alag hi attraction tha jo us ladke ko apni or kheech raha tha iitna ki use lag raha tha ke kski aatma us ladki se milan ke liye uske sharir se bahar aa jayegi...uska gala sukha pad gaya tha...chati dhadak rahi thi..tab us ladki ne apna hath uski or badhaya...
**************************
"chalo sab....baitho gadi main.....sab aa gaye na?? cleaner ne ek baar charo taraf najar daudayi..ravangi ke pehle usne sare passengers ko moja....to seaqt no D 5-6 khali tha...

"ab ye kaha chale gaye" kuch tang hote huye cleaner fir se niche utra lekin dhundne par bhi use wo log nahi mile

"are wo waha us lodge ki or jate huye dikhe the waha dekhlo hai kya to" ek passenger ne kaha..

cleaner us dono ko galiya bakte huye us lodge main gaya counter par ka banda gehri neend main tha..

"maa ki aankh...mar gaya kya ye?" usne us bande ko hila hila ke jagaya

"yaha kareeb 1 ghante pehle koi aaya tha kya" cleaner ne un dono ka discription dete huye pucha

"ha sir yaha do log aaye the ek ladka aur ek ladki waha uper hai room no 103" usne seedhiyo ki or ishara karte huye kaha aur wapis se chader odh li...

"lo hum waha pareshan ho rahe hai aur yaha bhakta hi kuch chal raha hai" cleaner do do seedhiya chadhta hua uper aaya room no 103 ka light chalu tha..

"o sir ho gaya hoga to chalo gadi tayar hai...chalo madem nahi to maro yahi hum nikal rahe hai.."cleaner waha chilla raha tha lekin ander se koi awaz nahi aa raha tha...

"thik hai raho yahi gadi nikal rahi hai" wo jhatpatate huye niche utarne hi waha tha ke usi samay wo counter par ka aadmi uper aaya

"kya hua kyu chilla rahe ho jao na nahi aana hoga unko"

usne halke se darwaje ko kaan laga to ander se koi awaz nai aa raha tha nahi koi halchul ho rahi thi usne bhi do teen baar darwaja khatkhataya lekin koi responce nahi

"iski maa ka kahi bhag to nahi gaye main soya tha tabi"

"are aise kaise bhagenge gadi to yahi hai" cleaner..

"kuch to gadbad hai" itna bol kar wo niche bhaga room ki dusri chabi lane ke liye...

door se bus ke horn ka awaz sunai de raha tha

us aadmi ne apni layi huyi chabi se room ka darwaja khola aur samne ka drishya dekh kar dono ki saanse hi ruk gayi...apan jo dekh rahe hai uspar un dono ka wiswas hi nahi ho raha tha..

samne palang par us ladki ki adhi nangi lash padi thi...uske sharir ki chir fad ki huyi thi mano jaise kisi takiye ko fada ho............
 
◆ Update 3 ◆
Us aadmi ne apni layi huyi chabi se room ka darwaja khola aur samne ka drishya dekh kar dono ki saanse hi ruk gayi...apan jo dekh rahe hai uspar un dono ka wiswas hi nahi ho raha tha..

samne palang par us ladki ki adhi nangi lash padi thi...uske sharir ki chir fad ki huyi thi mano jaise kisi takiye ko fada ho............
----------------------------------------------------------
inspector pawar tarwade gaon main head police inspector the..kuch chote mote gunhe chod diye jaye tp tarwade gaon waise shant hi tha isiliye inspector pawar par kaam ka kabhi utna boja nahi aaya tha..

us din bhi wo apne ghar main chicken curry jam ke data kar so gaye the tabhi unhe police station main se is gunah ki information dene wala phone aaya aur hadbadi main hi wo apni vardi pehan kar ghatna stal ki or ravana huye..

us lodge ka pura parisar polico ki gadiya...ambulance...byts lene ke liye aaye huye patrakaro ki gardi is sab se bhar chuka tha..us room main inspector pawar panchnama kar rahe the...15 saal ke unke career main unhone aisi nirghrin aur krur hatya kabhi nahi dekhi thi ye aqisa pehla vakya tha..photographers ne us gunah ki tasvere nikali..

"chavhan, nishan mile kya kuch??" pawar

"sir, lodge hai ye, kai logo ke prints mile hai, usme se us gunahgr ke foot prints konse hai bata pana mushkil hai" chavhan

"hmm thik hai, acha un counter par ke logo ki cheaking aur introgation kar liya hai kya?" pawar

"ha sir, usne room ki chabiya is ladki ke paas hi di thi aur wo neend main hone ki wajah se uske sath wale us aadmi ka discription nahi de paya" chavhan

"hmm acha thik hai, ek baat batao ye crime hone ke baad kisi ne us insan ko bahar jate huye dekha hai kya matlab lodge main ka koi?" pawar

"nahi sir, kisi ne nahi dekha humne yaha pohochte hi lodge seal kar diya tab se to koi bahar nahi gaya to shayad wo prhle hi bhag gaya ho"chavhan

"bus main ke passengers, driver , conductor, kisi ne to dekha hoga use?"

"ha sir waise uska thoda thoda discription hai kal subah us par se ek sketch bana lenge lekin use dekihte hi pachan ne wala abhi to bhi koi nahi hai"chavhan

"acha to te ye bus kaha se nikalti hai waha puch tach karo ticket nikalte huye bus main chadhte huye kisi ne to dekha hoga use " pawar

"sir wo beech raste se bus main chadhaa tha" chavhan

"beech raste matlab?" pawar ne dimag par jor dete huye pucha

"beech raste matlab sir driver bata raha tha ke tarapur exit ke paas use ek band car dikhi usi ke paas ye insan khada tha aur isne lift mangi thi"chavhan

"arre chavhan ye pehle batana tha na!! abhi ke abhi kisi ko waja bhejo agar waha wo car mili to usme se koi clue mil sakta hai aur driver se us car ke bare main puchtach karo uska rang konsa tha konse make ki gadi thi sab sari information jama karo" hyper hote huye pawar bole..

"ha sir savant gaye hai gadi lekar us exit ke paas " chavhan

"aas paas kuch ghar hai waha inquiry karo raat beraat ko kisi ko jate huye dekha hai kya aur apne gaon maain aaye huye naye logo se bhi puchtach karo ki wo kaha se aaye hai kiske sath aaye hai kaha se aaye hai sabkuch with proof sari mahiti jama karo"pawar

"ok sir" itna bol kar chavhan baki ke kaam karne waha se chala gaya

"shinde, body postmortem ke liye bhej do aur khoon ke pehle agar mari huyi mahila par balatkare hua hoga to wo bhi panchname main likh lo. panchname ki report..sare papers subah mere pohochne ke pehle mere table par hone chahiye" itna bol kar pawar bhi waha sse bahar aa gaye

bahar do hawaldar reporters ko ander aane se rok rahe the dead body bahar aate hi un reporters ne waha kafi gardi kar di lekin unhe jada information nahi mil payi

raste ke dusri or khet main chip kar khade khade 'wo' bhi ye sabkuch dekh raha tha..poloco ki gadiya, ambulance, jati huyi usne dekhi..do minute usne apne aap se vichar kiya aur fir us andhere khet main se rasta nikalte huye wo bhi chalne laga......

 
*Update 4*

raste ke dusri or khet main chip kar khade khade 'wo' bhi ye sabkuch dekh raha tha..poloco ki gadiya, ambulance, jati huyi usne dekhi..do minute usne apne aap se vichar kiya aur fir us andhere khet main se rasta nikalte huye wo bhi chalne laga......
--------------------------------------------------------
apne room cum office main ek maili khurchi par detective jhon kuch sochte huye baitha tha..uski dadhi badhi huyi thi aur kapde bhi maile aur silwate bhare huye the..uski or deklh kar detective bol kar kaam lana wala client bhi chalaa jata tha..office puri tahar se uthal puthal hua pada tha..table par aur baki pure room main bhi bijhu huyi used cigaretts padi thi..ek kone main kaam ki information ke liye fade huye newspapers aur magzines ka gattha pada tha kai dino se saaf safayi na hone ki wajah se har tarah dhul aur mitti ka hi samrajya tha...

jhon ki detective company chalu karne ki idea puri tarah se fail ho gayi thi...surwaat main aaye huye kuch cases chod diye jaye to use us hisab ki success nahi mili thi..kuch choti moti cases ab bhi pending thi..lekin dicorce ke liye saboot jama karna, kisi raees baap ki beti par dhayan rakhna..skahi pati ki patni par najar rakhna...is tarah ke boriyat bhare kaam kar kar ke ab jhon thak chuka tha....uski buddhi ko chalna dene wali....uski capacity test karne wali aur sath ki samay ke hisaab se paisa dene wali ek case ki use jarurat thi aur wo use mil nahi rahi thi..

table par pending bills pade the..jhon ne ekbaar nirasha se unsab par najar daudayi..apna bhi ekhada posh office ho..apna detection lene ke liye....appointments dne ke liye ekhadi secratary ko...hath ke niche kaam karne wale kuch log ho,..car driver aise uske kai sapne abhi pure nahi huye the...

jhon ne apne pant ki jeb m,ain hath dala apne paas bache huye paise mojne ke liye to usme ek dus rupaye ki note aur kuch chiller bas itna hi tha to "chai ya cigarette..?" jhon ne apne aap se pucha..aur fir ek cigarette lekar baki paise kal ke liye bachaye jaye aisa soch kar wo lakdi ki seedhiyo se niche utra aur nukkad par bane paan ki dukan par cigarette lene chala gaya..

us paan wale ko bhi jhon ke bare main bhari jigyasa thi aur jhon bhi use prabhavit karne ke liye kuch bhi kahaniya bana kar apan kis higfh level ke ditective hai ye batane ki koshish karta rehta tha..

"kya jhon bhai..kaisa chal raha hai aapka kaam?" cigarette dete huye paan wale ne pucha

"thik chal raha hai waise aajkal ek bohot inportant case par kaam kar raha hu...thoda busy hu.."jhon ne aise hi keh diya.

"arre chodiye wo case, aap wo case kyu nahi lete hath main..apna bajuwala gaon hai na tarwade waha ek ladki ka khoon hua hai"

"konsa case" chehre par koi bhi haav bhav na late huye jhon ne pucha

"arre wahi tarwade gaon ka case....ek ladki ka kisi ne lodge main katal kar diya..lagta hai koi sirfira killer hai ye dikhiye.." itna bol kar usne apne paas ke news paper main aayi huyi news jhon ko dikhai

jhon ne apni tikshna najro se fatafat sari news padh dali aur wo news paper us paanwale ko wapas karte huye bola

"arre chodo yaar, kya aise chote mote cases leneka,.main to kuch bade chiz pe kaam karne wala hi" fir se ek baar us paan wale ko hul dete huye jhon wala se nikal gaya

apne office main aane ke baad usne apni cigarette jalayi aur do lambe kash maarne ke baad wo sochne laga..

"kya karna chahiye.? waie to kuch bhi kaam nahi hai aur aise khali baithe baithe buddhi ko jung lag raha hai bas usse acha agar kuch hath lag gaya to thodi fame hum bhi bator lenge" itna baat dimag main aate hi jhon ne apne hath main ki cigarette khatam ki aur offoce ko tala laga kar nikal gaya.

sabse pehle to wo free library main gaya waha usne pichle do dino ke sare akhbaar nikale aur un news papers ke gatthe main se 'tarwade' gaon ke khoon ke bare main mahiti dene wale sare akhbaar ek side kiye aur fir ek kone main shanti se baith kar usne ek ek karke sari news padh dali...uska dimag har chiz ko barkai se padh raha tha..aur hath kuch chuninda bato ko uski note bopok main likh rahe the..

raat ko der tak usne use jo chahiye thi wo sari information jama ki aur wo ghar aaya..ghar pahochte hi usne almari main se apne kuch ache kapde nikal ke ek suitcase main bhare..use kar kar ke ghise huye razor usne apni shave ki aur fir mast naha kar wo aaine ke samne khada raha..

utsah aur atmaviswas se bhara hua ek naya hi jhon us aaine main dikhai de raha tha..' bas yahi ek aakhri mauka hai' usne apne aap se kaha..is baar agar kaam nahi jama to itne utsah se suru ki huyi ye detective company band karne ke alawa uske paas dusra koi rasta nahi bacha tha..

 
* Update 5 *
usne apne ghar main ek najar daudayi..showcase par uska bill na bhare jane ki wajah se band pada hua mobile pada tha...'mobile handset bech kar kuch din chalenge itne paiso ka intajam jo jayega' aisa vichar karke usne wo phone jeb main dala aur apni kapdo ki bag lekar ghar ke bahar nikal pada.......
--------------------------------------------------
"are o pashya abe jara idhar to aaiyo" bhausaheb paper main ki news apdhte huye bole....bhausaheb tarwade gaon ke patil the yani mukhiya the aur ek raees aadmi..boli main gaon ki jhalak thi fir bhi is gaon main yahi sabse hussar samajhdar aadmi tha...uske chalne main bolne main behavior main ek rubab tha gaon ke log usse thoda sambhal ke hi rehte the...gaon main ke jhagde maramari sirf bhausaheb ke jane se hi mit jaya karti thi....uska gaon ke beecho beech kisi mahal ke jaisa bada vada(bangla) th...gaon ke bahar angoor..jawari...bajre ke khet the..aur usme kaam karne wale asankhaya majdoor...gaon main 2 petrol pump....gaon ke dusre side jaha tak najar jayegi waha tak jameen...ghar main mehngi cars..hatho main sone ki anguthiya..chehre par ek karara bhavaur usi ko suit karengi aisi rubabdar badi badi muche....kapdo main jyadatar istari kiya hua cream color ka shirt aur ekdum safed dhoti aur pairo main chrr..chrr...awaz karne wali kolhapuri chapple

paper main chapi ek news i or ishara karte huye ye bhausaheb pashya se bol rahe the...

"are ye shweta hai na?? are khoon ho gaya hai iska gaon ke bahar lodge main" bhausaheb

"hao bhausaheb...wahi hai..raand sali..apne karmo ki wajah se mari hogi..pakda hoga kisi sirfire ko aur ye ho gaya" pashya

"are ye kya hai..kabhi kisi mare huye ke bare main aisa nahi bolte" bhausaheb

"maaf kardo bhausaheb lekin wo thi hi aisi main hi nahi sara gaon aisa bol raha hai" pashya apni gardan jhuka ke bola

"are hoga bhi aisa lekin ab to wo mar chuki hai hau na? acha thik hai thode samay se gadi nikal na hum is ladki ke ghar jayenge aur ate samay police inspector se bhi milte aayenge samjhe.."bhausaheb

"hao saheb abhi subah hi mast chakachak do ke rakhi hai gadi" pashya waha se jaye huye bola

bhausaheb ne puri news padhi aur samne rakha hui adrak wali chai pine lage....

*****************

bhausaheb police station main pahuche tab inspector postmortem ki reports padhne main vyast the bhausaheb ko ander aata dekh wo uth kar khade ho gaye

"are baitho baitho aap kyu khade ho rahe ho" olice station ke darwaje se ander aate huye bhausaheb bole

"abe police inspector hai aap aapke samne humne khada rehna chahiye aap ne hamare nahi.." bhausaheb

"are bhasaheb aap bhi ab is garib ki maja lene lag gaye..are ye pura gaon aapke samne natmastak hai fir hum kaise baithe reh sakte hai..aaiye baithiye" samne ki kurchi ki or ishara karte huye pawar bole

"pawar saheb...news paper main padha kal ki bat ke bare main..aap kal raat se yahi ho kya?? bhausaheb

"nahi, kal panchnama kar ke ghar chala gaya tha subah jaldi aaya hu" pawar ne jawab diya

"to jara batayenge ki asal main kya hua hai??" bhausaheb main apni badi mucho ko taav dete huye pucha

"kaisa hai bhausaheb mamla thoda confidential hai puri chan bin ke bagair kuch kaha nahi ja sakta lekin aapko bata raha hu..wo gaon ki hi ek ladki hai jiska'sujit lodge main khoon hua hai shweta naam hai uska aap jante hai kya use??" pawar

"are kon nahi pehchanta uska..? gaon ek lagbhag har ghar ka bistar garam kiya hai usne aur.."pashya aage bhi kuch bolne wala tha ke bhausaheb ne uski baat kaat di

"pashya jab tak bolne ko na kaha jaye beech main mat bolo!!" aur fir pawar se bole

"pawar saheb mera waise to usse koi lena dena nahi hai lekin gaon ki bacchi hai...matlab thi..bas isiliye thodi ki mahiti (information) chahiye thi"

bhausaheb ki baate inspector pawar dhayan se sun rahe theaur unki baat khatam hone par bole

"hmm!! to kal uska chaku maar kar khoon hua hai..ek baar ya do baar nahi balki aath baar uspar chaku se vaar huye hai...ispar se khuno ko ya to usne liye man main kafi chidh thi aur dusri baat ki use marne ke liye hi uspar hamla hua hai lekin is khoon ke piche ka karan samah main nahi aaya kyuki uspar balatkar nahi hua tha purse main ke paise aur jewar sabhi sahi salamat the!!" pawar

"acha acha!! to fir koi surag hath laga" bhausaheb ne pucha

"main mafi chahunga bhausaheb lekin abhi kuch bataya nahi ja sakta samay aane par aapko puri baat pata chal hi jayegi" pawar

"thik hai thik hai aapka bhi sahi hai aap tehre sarkari aadmi hamara kya hai isi gaon main paida huye yahi jee rahe hai..chalne do aapke kaam" itna bol kar bhausaheb waha se uthe aur jane lage....

unke waha se jane tak pawar unhe dekhte rahe aur jaise hi wo najro se door huye pawar ne fir se waha rakhi file uthayi aur padhne main kho gaye............

 
* Update 6 *

unke waha se jane tak pawar unhe dekhte rahe aur jaise hi wo najro se door huye pawar ne fir se waha rakhi file uthayi aur padhne main kho gaye............
--------------------------------------
bhausaheb ke jane ke baad waha sub inspector sawant aa pahuche aur sawant ke aane ki khabar milte hi pawar ne sawant se pucha

"bolo sawant kya pata chala" Pawar

"sir gadi ke malik ka pata chal gaya hai wo gadi kisi dusre ki hi thi, Mr. Mohite us gadi ke malik hai gadi band ho gayi thi isiliye wo ek car wale se madad lekar bagalwale gaon main gaye the, ye insan jisne ye khoon kiya hai usne band gadi ka fayda sirf us bus se lift lene ke liye kiya hua lagta hai" sawant

"us mohite ke sare referance check karo.konse gadi se wo gaon main pahucha pata lagao waha ke garage walo se baat karo aur uski batayi huyi har baat ki jaanch karo" pawar

"ha sir ye kaam chalu hai, ye mohiy=te kareeb 40 ki umra ka aadmi hai iska to description bhi us insan se nahi milta" saant

"hmm thik hai uska contact number le lo aur jarurat padne par phone karenge aisa batado" itna bol kar pawar fir se apne kaam main magn ho gaye

"ok sir" itna bol kar sawant bhi waha se chala gaya

*****************

yaha dusri or shweta ke ghar par dukho ka pahad gir pada tha..uske budhe maa-baap akele pad chuke the...jabki unhe pata tha ke unki beti kya 'kaam' karti hai fir bhi unhone us baaat ko jaan bujhkar najarandaj kiya tha...akhir kuch bhi ho unka ghar uski kamai par hi chalta tha...

ab shweta ke marne se unhe milne wala paiso ka ekmatra rasta bhi band ho chuka tha....usme bhi har do char din main police aur patrakaro ke rounds chalu the aur unke sawalo ne unhe pareshan kar choda tha....kisi insan ke charitra ko uchalne main unhe kyta maja aa raha tha kise pata??

un budhe maa baap ko is waqt ek hi majboot sahara lag raha tha wo tha anitatai ka.....kareeb tees ki umra wali 'anitatai' tarwade gaon main ki ek samaj sevika thi...garibo ki pichde logo ki madad ke liye wo hamesha tayar rehti thi....usme ye ghatna bhi koi apvad (exception) nahi thi....apne samarpak jawabo se aur chatur sambhashan kaushaliya se unhone patrakaro ka mu band kar diya tha.....apne NGO se kuch rakam nikal kar unhone shweta ke pariwar walo ko arthik adhar diya tha.....unke jakhmo par halke se phook mari thi...

"anita tai aapka ye ehsaan hum kaise chukayenge...sach main agar aap nahi hoti to kya hota hamara" shweta ki maa ka gala bhar aaya tha aur wo anita tai se baat kar rahi thi

"isme ehsaan manne wali konsi baat hai main bhi aapki beti jaisi hu aur beti ka konsa ehsaan..jitna ban pade utna karna mera kartavya hai" anitatai

"jaisi bhi thi fir bhi shweta hamari beti thi usi ne roti khilayi thi....gaon wale kuch bhi bole hame hamari beti ke marne ka gum to hai hi..."

shweta ki maa ki aankhon se lagatar aansu beh rahe the..mand diye ki roshni main ujale se bhari wo room ekdum sunn ho gayi thi shabd tham se gaye the

kuch pal shanti main beetne ke baad anita tai boli

"acha main chalti hu ab, kafi samay ho gaya hai...aapko kabhi bhi kisi bhi cheez ki jarurat ho to aap haq se mujhe awaz de sakti hai"

itna bol kar anita tai ne unke pair chuye aur waha se bahar nikal gayi....hamesha tarwade gaon ke bhale ke liye jeene wali anita tai ke man main is samay aise hi kisi ke bare main vichar chalu tha....andhere main jaldi jaldi pair dalte huye wo chal rahi thi....achanak unko laga ke koi unke piche hai....unhone do pal ruk kar dekhne ki koshish ki lekin koi nahi dikha

wo fir se aage badhne lagi lakin koi to tha jo unka picha kiye ja raha tha..........
 
Update 7

itna bol kar anita tai ne unke pair chuye aur waha se bahar nikal gayi....hamesha tarwade gaon ke bhale ke liye jeene wali anita tai ke man main is samay aise hi kisi ke bare main vichar chalu tha....andhere main jaldi jaldi pair dalte huye wo chal rahi thi....achanak unko laga ke koi unke piche hai....unhone do pal ruk kar dekhne ki koshish ki lekin koi nahi dikha

wo fir se aage badhne lagi lakin koi to tha jo unka picha kiye ja raha tha..........
--------------------------------------------
anita tai ka bura chahne wale kai log the....usna bura karne ke liye kai log tayar baithe the...aise kai logo ko unhone khud ne thik kiya tha..unhi main koi ekhada usne ghabrane ke liye ye sab kar raha hai aisa samajh kar anita tai aage badh rahi thi..aur sath hi sath unke jo banda tha wo bhi unhi ki speed se aage badh raha tha...anita tai ek jagah jakar ruki..lekin piche se kadmo ka awaz ab bhi aa raha tha....kareeb kareeb aur kareeb ..unke ekdum paas main aakar wo awaz ruki

anita tai ko apne ekdum paas main koi hai is baat ki bhanak lag gayi thi..unke gardan par ke baal tight ho gaye the..rongte khade ho gaye the...reed ki haddi mud gayi thi...dil ki dhadkane tezz ho gayi thi ..shabd gale main hi atak gaye the...jor se cheekhne ke liye unhone apna mu khola lekin unki cheekh unke gale main hi atak gayi..unki peeth se ek bada sa chura unke sharir ke aarpaar ho gaya tha..us chure ke thande dhaardar sparsh unke manko ko thodte huye nikal gaya...anitatai piche mudi...samne ke vyakti ne wo chuka bahar kheecha aur fir se ek baar jor dar jhatke ke sath wo unke pet main ghusa diya..ghusata hi raha aur anita tai apne pran tyag kar jameen par gir padi....
******************

shweta ki maut dekh kar abhi tarwade gaon ko ek hafta bhi nahi beeta tha ke unki pyari anitatai ki maut unhe dekhne pad gayi

shweta ki maut se shayad ki kisi ko dukh hua tha lekin anita tai ki maut se pure gaon main hahakar mach gaya tha..

'tarwade' gaon main ek prakar ka sannata chaya hua tha....gaon ke bahar jo bhi schools thi usne apne aap hi chuttiya mil gayi thi...gaon main ka vyahar..vyapar thanda ho gaya tha....har ek insan ek dusre ki or shak bhari nigaho se dekhta tha..gaon main ka koi bhi lodge...hotel... restaurent in jagaho par koi bhi naya insan dikhte hi uski infoemation police station ko di jaye iski vyasta unlogo ne ki thi....gaon main ke sunsan ilake, gaon ke bahar ke khet.... tuti imarate in jagaho par jane ke liye gaon walo ko rok diya gaya tha..... gaon mainj naya bina pehchan ka koi insan dekhne main nahi aaya tha...gaon ke bahar ki sabhi jagah chan mar li gayi thi lekin kisi ke rehne ka koi namo nishan nahi mil paya tha.....

"kon hoga ye khuni?? motive kya hoga uska??? huye huye khuno main dono ka bhi ek dusre se koi sambandh nahi tha?? khuni sach main koi sirfira hoga kya??polico ke dimag main aise kai sawal ghoom rahe the lekin unke jawab unhe nahi mil pa rahe the

jile ke wrather forcast ke andaj se aane wale agkle kuch din barish ki sambhavnaye thi aur uske hisab se vatavaran bhi nirman ho gaya tha....din bhar badal ghire rehne se hawa main ek prakar ki nami faili huyi thi... hawa na hoke bhi ek thandi lehar thi....sara kala aasman tarwade gaon par girne ke liye tayar tha..............
 
Update 8

jile ke weather forcast ke andaj se aane wale agkle kuch din barish ki sambhavnaye thi aur uske hisab se vatavaran bhi nirman ho gaya tha....din bhar badal ghire rehne se hawa main ek prakar ki nami faili huyi thi... hawa na hoke bhi ek thandi lehar thi....sara kala aasman tarwade gaon par girne ke liye tayar tha..............
-------------------------------------
tarwade gaon main ek prakar ka kohram macha hua tha..gaon ke bahar lodge main khoon huye ek hafta bhi nahi hua tha ke kal hi gaon main dusra khoon bhi hua tha..police station ke samne gaon main ke reporters aur news pane ke liye aaye huye shahar kereporters sabhi ki gardi jami huyi thi

"dekhiye aap sab please yaha gardi mat kijiye investigation puri hone par aapko sari information de di jayegi" inspector pawar us gardi ko lotte huye bol rahe the

"kab hogi aapki investigation puri pehle hi do logo ki jaan ja chuki hai aur aage kitne logo ko apni jaan gavani padegi" reporter

"dekhiye hamari chan been chal rahi hai..."

"konsi chan been chal rahi hai kya pata chala ab tak aapko" reporter

"ye kaam kisi sirfire killer ka hai.." pawar

"aap ye kaise keh sakte hai"reporter

"dono bhi khuno maoin khun ka motive samajh main nahi aaya hai aur jis chure se ye khoon huye hai unki banavat bhi ek jaisi hi hai.....issse jada main aako nahi bata sakta thodi chanbeen ke baad hi khulasa hoga" pawar

"to iska matlab aapka kehna hai ke is waqt gaon main ek khuni khula ghoom raha hai aur aapke paas koi surag koi saboot nahi hai aur aapki investigation puri hone tak gaon main kya aise hi khoon hote rahenge" rporter

"main ispar kuch nahi kahunga..jaise hi hame kuch pata chalta hai hum aap logo ko khabar kar denge" itna bol kar pawar ne usne waha se bahar nikalna chalu kar diya.....
********

"hello inspector" apne chehre par hamesha wali impressive smile late huye jhon bola

""hello" kuch ukhde andaz main inspector pawar ne kaha

" I m jhon...detective jhon" apni jeb main se apni detective agency ka card pawar ko pakdate huye jhon bola

pawar ne wo card liya aur jhon ko baithne ka ishara kiya jhon ne baithne huye hui apni file jisme uski agency ka goverment approved certificate....paas ke police station ka certificate aur baki ke kagzat the...

inspector pawar ne wo sab bade dhayan se dekhe aur fir bole

"bolo detective jhon main kya madad kar sakta hu aapki"

"mujhe gaon main huye khoono ke bare main janna hai" jhon

"arre bhai chavhan jhon sahab ko cse ki file dikhao" pawar kuch trast ho kar bole

"mujhe aapke case paper nahi chahiye sir mujhe case ke bare main jaankari news paper ke through mil gayi hai mujhe to wo jaankari chahiye jo aapne kisi ko nahi batayi hai" apne chehre ki smile kayam rakhte huye jhon bola

"sorry mr.jhon par isse jada jaan kari hamare paas bhi nahi hai" ab pawar ka jhon main ka intrest chala gaya tha aur wo fir se apne kaam main lag gaye the

"alright mera kaam tha puchna baki jaankari kaha se aur kaisi nikalni hai mujhe ache se pata hai chalta hu main"

itna bol kar jhon waha se utha aure apne raste nikal gaya...........
 
Update 9

"sorry mr.jhon par isse jada jaan kari hamare paas bhi nahi hai" ab pawar ka jhon main ka intrest chala gaya tha aur wo fir se apne kaam main lag gaye the

"alright mera kaam tha puchna baki jaankari kaha se aur kaisi nikalni hai mujhe ache se pata hai chalta hu main"

itna bol kar jhon waha se utha aure apne raste nikal gaya...........
------------------------------------------------------
"arre arre bhausahebv ye kya sun rahe hai hum" nanasaheb tantanate huye bhausaheb ke drawing room main dakhil huye.
nanasaheb ye bhausaheb ke chate bhai lekin unke bilkul opposite....bhausaheb ka swabhav ekdum shant..mitbhashi...man milau....iske ulat nanasaheb garam dimag ke aage piche ka vichar na karte huye jo sahi laga wo karne wale

swabhav ke isi farak k,i wajah se bhausaheb maa-baap aur ab sare gaon ke chahite iske ulat nanasaheb na chahte huye bhi sabke tiraskar ke parta rahe.....nanasaheb bachpan se hi jua, daaru cigarate ke chakkar main sabse door hote rahe aur bhausaheb jimmedariya sambhalte huye aaj gaon main ke ek sammanit vyakti bane

unke pitaji ke maut ke baad in dono bhaiyo ke beech ka jhagda sare gaon ke samne aa gaya tha. pitaji ne apni sari jaydad ka batwara dono bhaiyo main eksa kiya tha lekin ek limited rakkam ke kharche ke baad nanasaheb ko bhausaheb ki permission ke liye bandhankarak kiya tha.... uske baad nanasaheb aur bhausaheb ke beech ka jhagda badhta hi gaya...un dono main kabhi nahi jami aur isi wajah se nanasaheb unse alag hokar dusri haweli main rehne chale gaye.....

"arre nanu.. shanti rakho...baitho" bhausaheb apne ghar ke drawing room main gaon ke dusre sammanit vyaktiyo ke sath charcha main magn the aur nanasaheb ko aise tantanate huye aane se unhe bhari embarassment jhelni padi...."kya hua hai wo jara shanti se bataoge..?"

"bhausaheb maine suna hai ke aap hamari gaon ke dakshin bhag ki 25 acre jamin bhumihino ko dene wale ho?" nanasaheb khade khade hi bol rahe the.

"ha..tumne jo suna wo sahi hai" bhausaheb

"are ye sab kya tumhare akele ka hai kya?? mujhe puchna jaruri samajhte ho ke nahi?? arre main us jamin par ek factory lagane wala hu ye bataya tha na maine tumhe.." nanasaheb

"arre bas 25 acre ka ek tukda hi to de raha hu na baju main itni sari jamin khali padi hai wo le lo na.." bhausaheb

"nahi...ye main nahi hone dunga...mera virodh hai is baat ho......mujhe wo puri jamin chahiye..company wo waisi jaban di hai maine!" nanaasaheb

"ha to maine bhi un bhumihino ko apni jaban di hai nanasaheb" bhausaheb

"arre puchta kon hai teri jaban ko us jamin ka har ek acre mere liye mahatvapurn hai.....aur agar jamin batne ki itni hi haus hai na to apna ye ghar dede par us jamin ki or dekhna bhi mat!" nanasaheb

"dekh nanu wo jamin nadi ke paas haigaareeb logo ko agar wo jamin mil gayi to unki pani ki samasya hal ho jayegi maine apni jaban di hai aur ab main piche nahi hat sakta" bhausaheb

"thik hai to fir...aajtak bada bhai ho isiliye tumhari har baat sun ke li lekin ab naahi maine bhi dekta hu ke us jamin par factory kaise nahi banti" nanasaheb

"agar meri jaan chali jaye to bhi chalega lekin apni jaban khali nahi jane dunga main" bhausaheb ko ab gussa aane laga tha

"thik hai...agar tumhari lash pe hi is factory ki neev likhi hai to mujhe bhi koi harkaat nahi hai" itna bol kar nanasaheb jaise aaye the waise hi tantanate huye nikal gaye....................
 
Update 10

"agar meri jaan chali jaye to bhi chalega lekin apni jaban khali nahi jane dunga main" bhausaheb ko ab gussa aane laga tha

"thik hai...agar tumhari lash pe hi is factory ki neev likhi hai to mujhe bhi koi harkaat nahi hai" itna bol kar nanasaheb jaise aaye the waise hi tantanate huye nikal gaye....................
-------------------------------------------------------------
'tarwade' gaon ke ek saste se saste hotel main jhon ne ek room leli thiaur jeb ki halat dekh kar to use lag raha tha ki wo hafte bhar se jyada waha reh nahi sakta...usko jaldi se jaldi kuch hulchal karna jaruri tha....

apne hath main ki cigarate ke kash khichte huye jhon sabhi ghatnao ka suru se vichar kar raha tha....

'jaha wo aadmi bus main ghusa tha wo jagah bastoi se waise to door hi hai..matlab wo aadmi waha kisi gadi se aaya tha ya fir usne waha apni hi gadi layi ho...

agar wo banda guneh gar hua aur khoon karne ke hetu se hi aaya hoga to waha tak pahuchne ke liye wo kisi pe dependent nahi raha hoga ya kisi se lift nahi mangi hogi matlab wo khud ki hi gadi se waha aaya hoga aur agar aisa hai to usne ho na ho apni gadi wahi kahi chupayi hogi'

jhon jaldi hi apni jagah se utha..tarapur exit par jab jhon pahucha tab bara baj chuke the..jhaon ne aajubaju main ek najar daudayi lekin aaspaas basti kahi nahi thi bas lambi lambi ghas hi badhi huyi thi...jhon ne andaje se aaspaas maon dhundne ki surwat ki....lekin ek dedh ghante baad bhi kahi kuch nahi mila..kareeb 1 kilometer ander jane ke baad jhon ko raste ke sside se car ke tyres ke nishan dikhe...jhon un nishano ka picha karte huye ghas main ghusa to ek jagah par ghas dabi huyi lag rahi thi aur ho na ho waha ekhadi car aakar gayi thi waha ki ghas puri tarah dab gayi thi jaise koi bhari gadi kafi samay tak waha khadi ho....

"shayad yahi wo jagah hai jaha us aadmi ne apni car chipayi thi" wild guess lekin baat sochne layak thi aur jhon ko apne intincts par pura bharosa tha...

"matlab hua aisa hoga ki us gunehgar ne raste ke side main band padi huyi gadi dekhi hogi aur apni car yaha is ghas main lakar chipa di aur us baand car ke paas khada ho gaya...bus driver ko aisa laga ki usi ki gadi hai aur isi baat ka fayda lekar wo bus main chadha....jaha bus band huyi waha kisi karan se us ladki ko lekar gaya aur uska khoon kiya...fir wapas yaha aaya aur apni gadi lekar chala gaya.....lekin kaha??jaha se aaya tha waha?? ya jaha ja raha tha waha???" jhon apne aap se hi baat kiiye ja raha tha..

jhon ne fir se ek baar dabe huye ghas ka nirakshan chalu kiya tyre marks jis disha se ander aaye the usi disha se bahar gaye the.."matlab aisa ki gunehgar taraapur se tarwade ya aage kahi ja raha tha aur use band gadi dikhi to usne apni gadi reverse lekar yaha ghar main chupayi isiliye tyre markas baye or se ander gaye hai.

gadi ki direction thi tarapur ki or....aur usi disha main gadi reverse main bahar nikli hai...matlab gadi ki disha ab bhi tarapur ki or haiiska matlab aisa ho sakta hai ke wo jidhar se aaya thausi or gaya tha.."

basss...isse jyada jhon ko kuch nahi mila.....usne kuch saboot dhundne ki koshish ki lekin jise clue kaha ja sake aisa use kuch nahi mila...

"chalo aaj ka din waste to nahi hua jaha se surwat ho sake aisa kuch mila to hai" aisa sochte huye jhon wpas aane ke liye ravana ho gaya........
 
Back
Top