S
StoryPublisher
Guest
nisha- aur kya rahul........
rahul- aur tumse shadi bhi nahin karunga......
nisha ke chehre par kai tarah se sawal they...usey samajh nahin aa raha tha ki wo rahul ki baat se khus hoye ya dukh.....jo bhi ho aab to kewal intezaar hi unhein karna tha....aane wala waqt dekha ye tha ki bihari ,vijay aur ,jagga par rahul kaun sa qahar bankar tootata hain.
nisha ke dil mein is waqt hazaron sawal uth rahein they magar aaj uske kisi bhi sawalon ka jawab uske paas maujood nahin tha....wo to bus yehi soch rahi thi ki kya kabhi wo radhika ki jagah le payegi.....agar uski shadi rahul se ho bhi jati hain to kya rahul usey wo pyaar de payegi jitna wo radhika se karta tha.........shayad nahin....inhi sawalon mein uljahi nisha ke chehre par pareshani ke bhaav they tabhi rahul ki awaaz sunkar wo apne soch se bahar aati hain.....
rahul- tum ek kaam karo mere saath aabhi apne ghar chalo....
rahul ki baateion se nisha lagbhag chaunk jati hain- tumhare saath .......aabhi is waqt......magar kyon???
rahul- kyon ki main nahin chahta ki meri wajah se ye duniya tum par koi ungali uthaye....aur shayad tum yahan par mere saath rahogi to aisa ho bhi sakta hain ki main kahin behak jawon.....aur fir kuch galat ho gaya to shayad main apne aap ko maaf nahin kar pawonga....
nisha- mujhe tum par poora bharosa hain rahul.....kuch galat nahin hoga...belive me.....
rahul- nahin nisha...try to understand....manta hoon ki ye faisla mera tha magar ye humare liye hi aacha hoga....nisha bhi kuch zyada behas nahin karti aur chup chaap rahul ke saath uski gadi mein baith jati hain..aur raat ke kareeb 10 baje rahul nisha ko uske ghar drop karta hain.....
subeh rahul sabse pehle police station jata hain aur jakar sabse pehle khan se milta hain....
rahul- khan kuch un kaminon ka pata chala...kahan hain wo teenon....
khan- zyada to kuch nahin par itna confirm hain ki wo teenon isi sehar mein hain....humne charon taraf se nakabandi kar rakhi hain to unka is sehar se bahar janey ka sawal hi nahin uthatha.......
rahul- kahin aisa to nahin ki humne nakabandi karne mein der kar di aur wo teenon is sehar se bahar.....
khan- nahin sir...aisa nahin hain....jab hum wahan par pahunchey they tab uske 1/2 ghantey pehle hi wo teenon wahan se nikley they...itna confirm hain ki maine 1 ghantey ke ander hi is sehar mein nakabandi lagwa diya tha....
rahul- theek hain khan....kahan par hain wo haramzyadi kajiri .....main ussey aabhi milna chahta hoon.... fir rahul jail ke ander jakar kajiri se milta hain... kajiri jab rahul ko dekhti hain tab wo durr se wahin seham jati hain...
rahul- kaisi hai tu....lagta hain raat bhar soyi nahin hai ...dekh teri aankhein kitani laal hai...lagta hain yahan par teri khatirdari in logon ne theek se nahin ki.....
kajiri -mujhe jane do saheb...jo kuch main janti thi maine sab kuch to aap sub ko bata diya....aab kya reh gaya hain....
rahul- chinta mut kar tujhe main chodh doonga magar aabhi nahin kum se kum 5 saal ke baad.....ye bata bihari is waqt kahan chupa baitha hain....
kajiri- mujhe nahin maloom saheb....main uske bare mein kuch nahin janti....jaise hi kajiri ye baat khatam karti hain tabhi rahul ka ek karara mukka uske galon par padta hain aur kajiri ke honthon se khoon nikal aata hain....aur wo dard se cheekh padti hain.....
rahul- aabki baar sawal nahin poochunga.....mujhe bus tera jawab chahiye...nahin to teri aisi sewa karunga ki yahan se tu apne chaar kadmon se jayegi....teri bhalai isi mein hain ki jo kuch janti hain sab kuch bakti ja.....fir dheere dheere kajiri bihari ke ek ek thikanon ka pata batatey jati hain.....
rahul- shabaash!!!! agar pehle hi sab kuch bata diya hota to itni maar to nahin khani padti tujhe....chal aab yahan par aaram se 5 saal maze karna.....aur rahul wahan se tezi se bahar nikal jata hain....
rahul- police force taiyaar karo khan....main DGP sir se jakar permission lekar aata hoon.... kareeb 1 ghantey baad rahul apne police force ke saath bihari ko pakadney nikal padta hain....
khan- sir usey to umar kaid ki saza hum dilwanyengey.....saari zindagi jail mein sadega tab saale ko maloom chalega.....
rahul- nahin khan .....tum galat samajh rahe ho...main janta hoon bihari ko ....hum kitna bhi kuch kar lein wo zyada se zyada ek hufta jail mein reh sakta hain.....fir wo kaise bhi choot jayega aur hum zindagi bhar usko arrest kartey firengey..... is baar usey arest nahin karna hain.....
khan- arrest nahin karna hain ................matlab????
rahul fir apne jeb se ek kagaz nikal kar khan ko thama deta hain..khan jab us kagaz ko padta hain tab uske hosh udd jate hain....
khan- sir ye to encounter warrant hain......yani humein un teenon ka encounter karna hain.....
rahul- haan aise kutton ke liye sirf ek hi saza hain aur wo hain ...................maut...
khan- magar hum aisa kaise kar sakte hain...aisa karney se to is sehar mein hungama khada ho jayega......public aur media wale isey badha chada kar dikhayengey aur usey nirdosh saabit karengey...aur humari kitani badnami hogi aapko iska andaaza bhi hain....fir hum kya jawab dete firengey un sab ko.....
rahul- tum uski chinta mut karo...maine DGP sir se saari baatein kar li hain..unhone hi mujhe iski permission di hain....magar itna yaad rakha humein un teenon ko is sehar se bahar kisi aise sunsaan jagah par ye kaam karna hain.... aur haan sabse pehle tum bihari ke baare mein saari data collect karo...kaun hain uska kareebi aur kiske saath uska roz ka uthana baithna hain...aur uski kamzori kya hain...sab kuch immediately....fir khan wahin laptop mein internet ke through bihari se saari related jankari collect karta hain.....
kareeb 2 din ke baad usey bihari ke khilaaf pukhtaa saboot haath lagta hai aur jo jankari usey haasil hoti hain ussey rahul bhi chaunk jata hain.....in do dinon mein bihari ka bhi pata chal gaya tha......teenon ek hi jagah par isi sehar mein chupey hue they.....rahul ne jaise khan ko kaha tha khan ne waisa hi kiya tha......
rahul- khan sabse pehle agar humein dushmanon ka shikaar karna hain to usey bill se bahar nikalna hoga....aur ye kaam tum hi anjaam de sakte ho.....jaise hi wo bahar aaye uske sabse pehle kidnaap karwa lo aur is sehar ke bahar le chalo...kisi hill station ke taraf jahan koi aata jata na ho....fir main batunga ki un sab ko kaisi maut marni hain...aur maine to soch bhi rakha hain un kutton ko kaisi maut milni chahiye......
sabse pehle khan uske khaas khaas aadmiyon ko arrest karta hain aur do teen ladki supply ki baat unke admiyon se kehlawata hain......bihari to ladki mamley mein kahan chup baithney wala tha....wo bhi jhat se apne aadmi se milne ki jagah aur daam tay kar leta hain.......fir us number ko trace kiya jata hain aur uska location pata lagaya jata hain.....aur dusare din wo teenon apne bill se bahar nikatey hain.....usi jagah......rahul apne aadmiyon ke saath waahan par ghaat lagaye baitha tha......bihari jab apne aadmiyon ko dekhta hain tab wo jhat se unsey milney aata hain......
jaise hi wo un sab ke kareeb jata hain tabhi lagataar 6 goli chalti hain aur kuch deer mein bihari ke teenon aadmiyon ki laash wahin jameen par padi milti hai...ye sab dekhkar bihari ,vijay aur jagga bhagney ki koshish karte hain magar police charon taraf se unhein gher leti hain..... aur tabhi tezi se ek van unke paas aakar rukati hain....aur usmein 5,6 aadmi nikaltey hain aur bihari ,jagga aur vijay ko jhat se uthakar us wan mein lekar tezi se wahan se nikal jate hain.....wahan door khadi police chup chaap dekhti rehti hain...
idher bihari ,jagga, aur vijay ek taraf to khus they ki wey police ke haathon bach gaye ....magar unki khushi zyada der tak nahin rehney wali thi... aabhi bhi unsab ke munn mein ye sawal uth rahe they ki ye wan wale un sab ke dost hain ya dushman.....is waqt uss van mein do aur log baithey hue they magar unkey chehrey par naqab tha....aur wo dono bade gaur se bihari, jagga, aur vijay ko dekh rahein they....is tarah se undono ka ghoorna dekhkar wo teenon fir se seham jate hain......agle hi pal wo dono apna haath badhakar apne chehrey ki ore le jate hain aur wo naqab ko apne chehrey se alag kar dete hain....jab wo dono apne chehrey se naqab hatatey hain tab bihari ,jagga, aur vijay ko aisa jhatka lagta hain jaise kisi ne unkey shareer se poora khoon nichod liya ho....aur hairat se un sab ki aankhein fati reh jati hain.
us van mein rahul aur khan baithey hue they......rahul aur khan ko apne samney baitha hua dekhkar un teenon ke hosh udd jate hain....
bihari-rahul.....t....u.....tum????
rahul- main nahin bihari apni maut bula mujhe......tune kya socha tha ki tu mujhse bach jayega...agar tu paatal mein bhi jakar chup jata to bhi main tujhe wahan se dhoondh nikalta....rahul ke mooh se is tarah ki baatein sunkar un teenon ka durr se gala sukhney lagta hain....
thodi deer baad unki gadi sehar se door ek sunsaan ghati ke paas jakar rukati hain....fir rahul un sab ko ek ek kar bahar nikalney ko kehta hain...aur tabhi khan unke peechay jakar un teenon ke haathon mein hathkadi laga deta hain.....is waqt teenon ek saath line se khadey they aur unkey haathon mein wo hathkadi bandhi hui thi....unke chehrey par maut ka durr saaf chalak raha tha.....
rahul tabhi apne jeb se revolver nikalta hain aur unke samney wo revolver taan deta hain....ye nazara dekhkar teenon ki durr se halat kharab ho jati hain....
rahul- chinta mutt karo main tumhein goli nahin marunga......agar tumhein itani aasan maut de doonga to mujhe khud apne aap par pachtawa hoga ki maine aisa kyon kiya.... aakhir tumhein bhi to ehsaas hona chahiye ki dard kya hota hain....jo tum logon ne meri radhika ko diya tha.....uske ek ek aansoon ka tumlogon se main hisab loonga....fir rahul apne jeb se apna purse nikal leta hain aur usmein radhika ki photo thi ....wo un teenon ke samney apna purse rakh deta hain...
rahul- gaur se dekho isey.....kya kasoor tha is masoom ka jo tumlogon ne iske saath aisa sulukh kiya.....yehi na ki wo khubsurat thi ...shayad aaj meri radhika ki khubsurati hi uski maut ki wajah ban gayi.....jab tak tum jaise darindey rahengey tab tab har masoom ladki ke saath aisa hamesha hota rahega....aur itna kehkar rahul ek zor ka laat pehle bihari aur fir jagga aur vijay ke pet par mar deta hain...dard se wo teenon wahin ghutnon ke bal baith jate hain......
rahul- bahut ghamand tha na tujhe apni saata aur apni power ka...ukhaad le jo ukhadnaa hain....zara main bhi to dekhoon ki tu kya kar sakta hain.....fir rahul apni jeb se wo warrant nikalkar unke samney rakh deta hain.....gaur se dekho is paper ko.....ye tum log ke maut ka waarant hain.....aur aab to duniya ki koi bhi taaqat mujhe tum log ko upar pahunchaney se nahin rok sakti......
bihari- humein jo saza deni hain de do rahul humein sab manzoor hain magar please humein jaan se mutt maro......main umarkaid ki saza bhi kaatney ko taiyaar hoon....
tabhi rahul fir se ek zor ki laat bihari ke pet par marta hain aur bihari ke mooh se dard bhari cheekh nikal padti hain....
rahul- bahut durr lag raha hai tumhein aaj apne maut ko samney dekhkar.....marna to tum sabko har haal mein hain....agar aaj maine tum sabko chodh diya to shayad meri radhika bhi mujhe kabhi maaf nahin karegi....aur aab main apni radhika ki aatma ko aur dukh nahin pahunchana chahta.....tabhi do teen laat aur rahul bihari ke pet aur peeth par jad deta hain......aur bihari fir se cheekh padta hain......
rahul- bol kyon kiya tune aisa.....mujhe jawab de.....kyon tune krishna aur birju ko fansaya.....kyon uski aad lekar meri radhika ko blackmailing ki...kyon tune uske saath hawas ka ganda khel khela.....arey insaan to insaan jo sulukh tum logon ne meri radhika ke saath kiya hain wo to koi dushman bhi nahi kar sakta......barson se unki wafadari ka kya inaam diya hain tumne.....birju ki hi beti ko apni rakhail banaya....aur to aur usey market mein bhi bhej diya ...darindon ke beech.....aur tune to apni kamineypan ki hadd hi kar di ........ek baap ko apne hi beti ke saath sex karwa dala.....tune to ek baap aur beti ke beech rishton ke mayne hi badal daley....unke beech pavitra rishton ko humesha ke liye kalankit kar dala...arey tere se aachey to janwar hain kum se kum wo wafadari ke badley wafadari to nibhatey hain.....lekin tu to un sab se bhi gaya gujara hain....insaan ki khaal mein tu to bhediya hain....
tabhi khan bhi apney gussey ko nahin rok pata aur ek karara laat bihari ke pet par jadh deta hain....bihari wahin dard se baith jata hain......
fir rahul vijay ke paas jata hain aur ek karkara laat vijay ke pet par jadh deta hain...vijay wahin dard se baith jata hain....
rahul- tune to kamal ki dosti nibhayi....bhagwaan na kare ki tere jaise dost kisi ko bhi miley.....mere saath rehkar mere hi peeth peechay tu meri dosti ka faydaa uthatha raha....aur main tujhpar aankh band kar vishwaas karta raha.....kaash maine radhika ki baat bahut pehle maan li hoti to aaj mujhe ye din nahin dekhna padta....main to khud hairaan hoon ki maine tujhe pehchaney mein itani badi bhool kaise kar di....aaj to mujhe sharam aati hain tujhe apna dost kehtey hue.....aur itna kehkar rahul ek zor ka laat fir se vijay ke pet par maar deta hain.....tabhi khan bhi do teen laat vijay ke upar barsata hain aur vijay ki cheekhein in vaadiyon mein goong utathi hain....
fir wo jagga ke paas jata hain aur usey bhi ek zor ka laat uske pet par jadh deta hain....maine sach mein bhool ki tujhe pehchanney mein.....agar usi din main tujhe radhika ko chedtey hue tere upar koi kada action liya hota to tere jaise do takey gundey ki ye mazal nahin hoti ki tu meri radhika ko aaj choo bhi pata.....inhi haathon se tuney usey chuwa tha na...fir rahul ek zor ka laat uske haathon par marta hain aur jagga wahin dard se cheekh padta hain.