sexstories

Administrator
Staff member
Meri pahli story [color=rgb(0,]Pyaar ya Nafrat[/color] running mein hai. Maine yeh nayi story start ki hai. Iss story ka kuch hissa The 15 Shades of Rick story se copy kiya hai. Par bahot kuch changes bhi hai.

Sab kehte hai jiske mata pita hote hai woh sabse khushnaseeb insaan hota hai. Par kuch mata pita aise bhi hote hai jinko apne bachho se jyaada khud ki kismat jyaada pyaari hoti hai. Phir chahe bachhe jiye ya mare unko koi fark nhi padhta.
Yeh kahani bhi bilkul aise hi ek bachhe ki hai. Jisko bachpan se hi maa baap ka pyaar nhi mila. Maa bachpan mein hi chorke chali gayi aur baap ko toh usse koi matlab hi nhi tha
 

Introduction
Sameer Sharma- Yeh kahani ka main lead hai. Isko bachpan se hi maa baap inka pyaar nhi mila. Iska dimaag baakiyon ke mukable strong tha but dikhata nhi thaa. Choti age mein hi yeh bahot mature hogya tha.Rajesh Sharma- Yeh Sameer ka baap hai. Ek number ka gira hua ghatiya insaan. Isko sirf paiso se matlab hai. Naa jaane kitno ke saath jabardasti karchuka hai. Isne shaadi bhi paiso ke liye hi ki thi. Sangeeta Sharma- Yeh Sameer ki maa hai. Yeh achhi aurat hai. But bachpan mein yeh Sameer ko iske baap ke paas chorke chali gayi thi. Jiske liye yeh aaj bhi apne aap ko koshti hai. Kyoki iska beta isse ab koi bhi rishta nhi rakhta hai. Infact isko maa bolke maanta hi nhi hai. Ranjit Sharma- Yeh Sameer ke dadaji hai. Ab duniya mein nhi rahe. Inhone hi Sameer ko pala hai aisa bol sakte hai. Kyoki maa toh chorke chali gayi. Baap ko toh koi parwah hai nhi. Inke paas bahot property hai. But thodi property secret bhi hai jiske baare mein kisi ko nhi pata sirf iske ek dost ke bete ko pata hai jisko isne apna beta maana hai. Reshma Sharma- Yeh Sameer ki sauteli maa hai. Sangeeta ke chale jaane ke baad Rajesh ne isse shaadi karli. Yeh Rajesh ki company mein hi uski secretary thi. Ek number ki characterless aurat aur paiso ki bhookhi. Isko bhi Sameer se koi matlab nhi hai. Neha Sharma- Yeh Sameer ki badi behen. Rajesh aur Sangeeta ki badi beti. Yeh apne maa baap jaisi nhi hai. Isko pata hai iska ek bhai hai jo apne baap ke saath rehta hai. Sangeeta ne isko bola hai iske pita unke saath nhi rehna chahte isiliye woh alag rehte hai. Yeh apne baap se toh pyaar nhi karti infact kisi bhi tarah ka rishta nhi rakhna chahti but apne bhai se bahot pyaar karti hai. Bhale hi bachpan se alag rahe ho but kabhi bhi pyaar mein koi kami nhi aane di. Aur school mein yeh humesha milte thee. Riya Sharma- Yeh Rajesh aur Reshma ki beti hai. Apne maa baap se bilkul alag. Yeh apne dadaji ke saath thi isiliye apne baap ke tarah nhi ho paayi. Yeh bhi Sameer se pyaar karti hai par dikha nhi paati apne maa baap ke darr ki wajah se.
 

Update 1
Ranjit apne time ka ek successfull businessman tha. Paiso ki kabhi koi kami nhi aayi. Ek khushmizaaz insaan the. Yeh apne bete ki buri aadato se humesha pareshan rehte. Unko laga agar zimedaari milegi toh thik hojayegaa isiliye unhone apne dost ki beti se iski shaadi karwa di.

Rajesh ek number ka aiyaas kisam ka insaan hai. Isko humesha se sirf paise aur ladkiyon ka nasha hai. Naa jaane kitni ladkiyon ki zindagi kharab kar chuka hai. Iska ek khash dost tha Abhay Singh. Dono saath mein har kaam karte. Par Rajesh ke paas Abhay se jyaada daulat thi jiske wajah se woh humesha Abhay ko nichha dikhata. Jab Abhay ki shaadi hogyi toh usne saare galat kaam band kardiye. Ab woh ek shareef insaan ban gaya hai. Isiliye Ranjit ko laga tha ke Rajesh bhi sudhar jaayega.

Sangeeta se shaadi ke baad usne pahle toh kuch naa kiya. Chup chup ke aiyaasi karta. Jiska pata Ranjit ko laga toh usne socha usne Sangeeta ki zindagi barbaad kardi.

Shaadi ke 1 saal baad Sangeeta maa ban gayi usne ek ladki ko janam diya Neha. Rajesh ko isse koi matlab naa tha.

Shaadi ke 1.5 saal baad Rajesh ne Sangeeta pe atyachaar start kardiya. Roj usko maarta,beizaat karta. Par Sangeeta ne kabhi kuch na kaha. Ek din Shraab ke nashe mein usne Sangeeta se jabardasti ki jisse uski aatma ko thes pahonch gayi. Par iske kaaran woh phir se maa ban gayi. Aur issbaar usne ek Ladke ko janam diya Sameer.

Ranjit ne jab Sameer ko dekha tab usse bahot khushi hui. Neha ko dekh kar bhi hui thi. Par Sameer ke aajane se uska vansh ab aage badhta. Idher Abhay aur uski biwi Ragini ko bhi ek beti hui Ritika.

Sangeeta jab bhi Sameer ko dekhti toh usko woh raat yaad aati jab Rajesh ne uske saath jabardasti ki thi. Isiliye woh Sameer ko uske saath hui jabardasti ki nishaani maanti thi. Sameer ke 1 saal hone ke baad Sangeeta ne Rajesh ko divorce de diya. Court ne 2 bachho ko divide kardiya. Jisse Neha Sangeeta ke paas aati aur Sameer Rajesh ke paas.

Sangeeta ko Sameer se koi matlab naa tha. Usko laga tha yeh bhi apne baap ki tarah hi hoga. Isiliye woh Neha ko leke apne ghar aagayi.

Ranjit bhi dukhi tha but ek khushi thi Sameer uske paas tha.

Rajesh ne divorce ke 2nd day hi Reshma se shaadi karli jiske saath yeh roj apni hawas mitata aur shaadi bhi hawas mitane ke liye hi ki thi. Reshma ne aate ke saath saath Sameer ko torcher karna start kardiya. Usko khaana nhi deti. Choti choti baat pe marti. Aur humesha apne kamre mein hi padi rehti.

Ranjit ne ek maid ka intezaam kiya jo Sameer ka khayal rakhti. Aur usne Abhay aur Ragini ko keh ke Ritika ko Sameer ke saath khelne ke liye bula liya. Ritika aur Sameer roj ek dusre ke ghar jaake khelte rehte.

Time aise hi nikalta gaya. Rajesh aur Reshma ki ek beti hui Riya. Rajesh bhi Sameer ko maarta rehta. Apna saara gussa bina wajah Sameer pe utarta.

Ek din Ranjit kisi kaam se bahar gaya tha jab woh wapas aaya tab dekha Sameer ke haath mein chott lagi hai aur khoon nikal raha hai aur woh ro raha hai. Ranjit ne Reshma ko bulaya jo apne kamre mein phone pe baate karrahi thi.

Ranjit- Kya tumhe sunayi nhi deta Sameer kabse ro raha hai. Aur usko chott lagi hai.

Reshma- Main apne kamre mein phone pe baate kar rahi thi shayad isiliye sunayi nhi diya. Aap tension naa lo main abhi dekhti hu.

Yeh bol Reshma Sameer ko room mein le gayi. Jaha usko dawaayi lagane ke bahane usko maarti aur uski chott pe daba deti. Jisse Sameer aur rone lagta. Yeh sab Ranjit chupke dekhta hai.

Ranjit- Mere jaane ke baad yeh haiwaan Sameer ko jaan se maar denge. Mujhe kuch karna hi hoga.

Usne apna phone nikala aur apne dost ke bete ko jisse usne apna beta maana hai usko call lagaya.

Thodi der mein woh ghar aata hai.

Ranjit- Ashok tumhe maine yaha ek jaruri kaam se bulaya hai.

Ashok- Kahiye na uncle kya kaam hai. Main woh kaam jarur pura karunga.

Ranjit- Tumhe meri jo yeh property hai usko Sameer ke naam karni hai. Aur woh secret property bhi. Kyoki ab Sameer hi mera badla le paayega. Rajesh se toh mujhe ab koi bhi umeed nhi hai. Kal agar mujhe kuch hogya toh yeh haiwaan uss bachhe ko maar denge.

Ashok- Thik hai uncle main kardunga.

Ranjit- Tum abhi uss secret property aur badle ke baare mein kisi ko kuch mat batana sahi time aane pe tum khud Sameer se milke usse sab batana aur abhi ke liye yeh property usko naam karo. Aur aisa rule banao ke agar kisi bhi tarah Sameer ko kuch hota hai toh saari property trust ke paas jayegi aur agar Sameer ne apni marzi se kisi ko diya toh alag baat hai.

Ashok: Thik hai uncle main dekh lunga.


Phir Ashok waha se chala jaata hai.
 

Update 2
Time nikalne lagta hai. Sameer aur Ritika ki dosti ekdum khash hogyi thi. Sameer Ritika se puche bina koi kaam nhi karta. Aur Ritika bhi Sameer ka pura khayal rakhti. Dono ek dusre ke bina ek pal nhi rehte. Ritika ko ek behen bhi hoti hai Ritu. Ab yeh log high school mein the. Sameer aur Ritika ek hi school mein padhte jaha Sameer ka best friend bana Rishi wahi Ritika ki best friend bani Kajal. Ekdin Sameer Ritika ke ghar se khel ke wapas aata hai toh dekhta hai uske dadaji ki tabiyat kharab hochuki hai. Ranjit: Sameer meri ek baat manna. Maine tumhare naam yeh saari property kardi hai. Tum yeh kisi ke naam mat karna khash kar apne pita ke naam. Aur mere baad agar tumhe kahi bhi pyaar naa mile toh tum London chale jaana aur yaha kabhi bhi wapas mat aana jab tak bahot jaruri naa ho. Sameer: Main aisa hi karunga dadaji.Rajesh yeh baat sunn leta hai ke uske baap ne saari daulat uske bete ke naam kardi hai. Toh uska gussa saatve aasman mein pahonch jaata hai. Kuch din baad Ranjit ki death hojaati hai jisse Sameer puri tarah se akela hojaata hai. Ab bas Ritika aur Rishi hi the uske apne. Rajesh ne Sameer ko property ke liye aur torcher karna start kardiya tha. Ab usko roj maarta. Reshma bhi yehi karti. Sameer ne sab bardaash kiya par property nhi di. Ab yeh log class 9 mein the. Sameer toh ab Ritika ko pyaar karne laga tha aur yeh baat Rishi bhi jaanta isiliye usne Sameer ko propose kardene ko bola. Sameer thoda nervous tha. Par usne himmat karke ekdin sabke saamne Ritika ko propose kardiya. Ritika ne usse ek thappad maardiya. Ritika: Tumhari himmat kaise hui mujhe propose karne ki. Tum jaise ek looser se main pyaar karungi yeh tumne socha bhi kaise. Tumhare saath thoda time spend karliya, ek dost samaj kiya toh tum iss harqat pe aagaye. Ritika ki yeh saari baate Sameer ke dil mein chubb rahi thi. Ritika: Aree jiski maa ne usko janam dete hi chorr diya. Jiska baao usko apna beta nhi maanta yaha tak ki jo dadaji ko pyaar karte woh bhi chale gaye aise insaan se main pyaar karu. Abhi ke abhi meri nazro se durr hojao. Isse pahle main kuch galat kardu. Sameer ko uske parents aur dadaji wali baat hadd se jyaada buri lagi. Ab uska yaha pe rukhna bahot mushkil horaha tha. Isiliye woh waha se chala gaya. Ritika ki aankhe bhi nam the. Par woh sab se chupa ke waha se chali jaati hai. Rishi bhi wahi khada yeh sab dekh raha tha uski aankho mein bhi aansu the. Sameer waha se sidha ghar aaya. Jaha uske saath ekbaar phir property ko leke torcher hua. Par issbaar usko yeh torcher ka aihsaas nhi horaha tha. Usko Ritika ki saari baate yaad aarahi thi. Phir usko apne dadaji ki baate yaad aati hai. Usne property ke papers liye aur sign kardiya aur bola mujhe yaha nhi rehna mujhe London bhej de. Rajesh bhi sochta hai agar yaha raha toh kal ko phir se property pe haq jamane ki soch sakta hai. Isse achha hai yeh yaha se kahi durr chala jaaye. Rajesh ne turant Sameer ke london jaane ki taiyaari kardi. Raat ko Rishi ne Sameer ko call kiya. Rishi: Sorry bhai meri wajah se yeh sab hogya. Sameer: Nhi Rishi tune infact thik hi kiya. Aakhir mujhe yeh toh pata chala kaun mera apna hai aur kaun paraya. Maa baap toh hai hi nhi ek Ritika thi aur aaj uska asli roop bhi saamne aagaya. Rishi: Ab tu school mein usse kaise face karega. Sameer: Ab main school nhi aane wala. Main kal london jaa raha hu humesha ke liye. Aur ab wahi rahunga. Rishi: Yaar aisa mat bol. Sab thik hojayega. Sameer: Mujhe nhi lagta. Aur waise bhi yeh mere dadaji ki aakhri ichha thi. Yeh toh puri karni hi hai. Rishi aage kuch nhi bolta phir yeh log call end kardete hai. Sameer subah uth ke London ke liye nikal padhta hai.Yaha subah school mein. Kajal: Riti tune kal thik nhi kiya. Ritika: Kajal usse aisa nhi karna chahiye tha. Woh sirf mera dost tha aur mujhe mere gusse pe control nhi raha.Kajal: Tere uss behaviour ke baad usko bahot taqleef hui aur isiliye woh aaj school nhi aaya. Rishi: Aur ab kabhi aayega bhi nhi. Ritika: Kya matlab kabhi nhi aayega. Sameer mera bestest friend hai main usko samjhaungi. Rishi: Jab woh yaha hoga tab na tum usse milogi. Woh aaj subah humesha ke liye london chala gaya hai aur ab wahi pe rahega. Ritika ke aankh mein aansu aajate hai par woh chupa leti hai. Ritika: Aise kaise chala gaya. Aur woh bhi mujhse bina mile. Rishi: Tum hoti kaun ho. Jo woh tumhe batayega. Ritika: Main uski bestest friend hu. Rishi: Kaun ho jara phir se bolna but uske pahle kal jo bola tha woh yaad karlena. Ritika ke aankho mein issbaar aansu sab dekh lete hai. Rishi: Apne yeh jhoothe aansu dikhana band karo. Tumne jo kiya hai woh koi dushman bhi nhi karta. Yeh bol Rishi waha se chala jaata hai. Ritika bhi waha se apne ghar aajati hai. Idher london mein Sameer apne dadaji ke ek flat mein shift hota hai. Uska yaha pe ek school mein bhi addmission hochuka tha. Aur uske paas paise bhi de diye the. Raat ko Sameer ke paas Rishi ka msg aata hai. Rishi: Pahonch gaya. Sameer: Haa. Bas saara samaan thik karke sone aaya hu. Rishi: Maine school mein tere baare mein sabko bata diya hai. Sameer puchna toh nhi chahta tha but phir puch leta hai. Sameer: Ritika ne kuch kaha. Rishi: Keh rahi thi tu usse bina mile chala gaya. Sameer ki aankho mein thode aansu aajate hai. Sameer: Chorr jaane de. Ab mujhe kisi se koi matlab nhi. Phir chat end karke woh sone chala jaata hai. Raat ko baar baar usko Ritika ki yaad sata rahi thi. Par woh apne aap ko control karta hai. Aur India se apne saare rishte khatam karne ka sochta hai. Isiliye usne social media se sabko hataya aur apna social media account delete kardiya. Aur apna sim card bhi todd ke phek diyaaSameer: Abse sirf apne liye jiunga. Kisi se koi matlab nhi. Idher India mein Sangeeta ek party mein jaati hai. Jaha kuch ladies baate kar rahi hoti hai. L1: Aree aajkal ki maaye toh bachhe ko janam deke hi chorr deti hai. L2: Haa jab sambhalna hi nhi aata toh janam kyo dete hai. Galti kare khud aur saza mile bachhe ko. L3: Aur kuch kuch toh divorce leke bachhe ko pita ke paas chorr dete hai phir pita dusri shaadi karta hai aur uss bachhe ka jeena haram kardeta hai. Aisi maa se toh pura jivan baanjh rehna manjur ho. Sangeeta jab yeh sab sunti hai toh aihsaas hota hai. Usne bhi toh aisa hi kiya hai apne bete ke saath. Bhale hi woh Sameer se durr thi. Par uski khabar milti rehti thi ke kaise Rajesh aur Reshma Sameer ko torcher karte usko maarte. Yeh sab sochte hi uske aankho mein aansu aajate hai aur usko apni galti ka aihsaas hota hai aur samaj aata hai uske saath jo hua usme Sameer ki kya galti jo usne usko aise chorr diya.Woh fauran Rajesh ko call karke Sameer ka puchti hai toh usko London ka pata chalta hai. Jisse usko rahat milti hai ke woh filhal inn haiwaano se durr hai.
 

Update 3
Idher london mein Sameer subah apne naye school jaata hai. Toh waha ek ladki aati hai. Ladki: Has Has ke. Abee bhadwe,kutte kamine, behenchod yaha kya karne aaya hai. Chal nikal yaha se warna abhi tujhe nanga karke teri gaand mein danda dalwa dungiSameer samaj jaata hai usko foreigner samaj ke yeh aisa bol rahi hai. Sameer: Muskurata hua. Kya main aapko jaanta hu. Aur jo aapne abhi abhi kaha uska mujhe bura nhi laga. Woh ladki shock mein thi. Aur uska sir sharm se nichhe jhuk gaya. Ladki: Tum Indian ho. Aur abhi maine jo jo bola woh sab tumhe samaj aagaya. Sameer: Ji haa. Ladki: I am sorry. Mujhe laga tum yehi ke ho aur yaha school mein pahli baar dekha isiliye thodi masti karne ke liye woh sab...... I am sorry. Sameer: Mujhe pata hai isiliye maine aapse kuch nhi kaha. By the I am Sameer. Ladki: I am Mahi. Waise yaha Sameer naam nhi chalega. Thoda alag naam rakho. Sameer: Alag naam. Toh tum hi rakh do. Mahi: Okk. Toh Sameer ka alag naam aaj se hai Sam. Sameer: Achha hai. Waise tum bhi meri class mein hai. Mahi: Matlab. Tumhe kaise pata mera class. Sameer: Tumhare I-Card se. Mahi: Smart. Tabhi Pichhe se ek ladka aata hai. Ladka: Aree Mahi kya hua itna time kaha laga rahi hai chal class ka time horaha hai. Mahi: Bas apne naye dost se baate kar rahi thi. Isse milo yeh hai mera best friend Deepak. Sameer: Hii! I am Sam. Waise yeh naam abhi rakha hai. Deepak: Abhi rakha hai matlab. Sameer: Yeh Mahi ne kaha yaha Sameer naam nhi chalega isiliye isne Sam rakh diya. Deepak: Ooo. Waise yeh mazaak kar rahi hai. Sameer naam yaha chalega. Mahi: Sorry but main just mazaak kar rahi thi. Sameer: Nhi koi baat nhi. Waise Sam naam itna bhi bura nhi. Abse mujhe yehi naam pasand hai Sam. Deepak: Okk then aajse hum tumhe Sam keh kar hi bulayenge. Mahi: Chalo class mein chalte hai. Phir yeh log class karte hai recess tak. Recess mein yeh log canteen aate hai. Deepak: Waise Sam tum yaha kaha rehte ho. Sam: Main yaha ek flat mein rehta hu. Mahi: Aur tumhari family. Sam: Mera unse koi lena dena nhi hai. Main yaha akela rehta hu Deepak: Koi nhi. Abse hum dost hai so humari family tumhari. Mahi: Of course. Sam: Waise tumhari family mein kaun kaun hai. Deepak: Mere ghar mein mom dad aur mera pyaara pet RON. Mahi: Mera bhi same but no pet. Deepak ke kandhe mein haath rakh. Yeh hai naa mera pyaara sa pet. Aur jorr jorr se hasne lagti hai. Sam bhi hasne lagta hai. Sam: Waise tumhare parents kya karte hai. Deepak: Mere aur iske papa scientists hai. Aur saath mein kaam karte hai. Sam: Great. Phir recess khatam hota hai. Woh log class karne chale jaate hai. Phir apne apne ghar. Ghar aakar Sam ko ab khana banana padha. Phir khaake woh rest karne lagta hai. Ab roj Sam ka yahi routine bangaya subah school waha Deepak aur Mahi se masti phir ghar aakar khaana banake khaana. Aise hi yeh log aise hi apna school aur friendship enjoy karne lagte hai. Mahi aur Deepak se Sam ki dosti bahot gehri hogyi shayad london mein Indian milne ki wajah se. Ab Sam inke saath hi apna time spend karta. Roj ghumne jaana. Late night parties karna sab karta hai. Ab London hai isiliye inpe koi roktok nhi. Ekdin Deepak Sam aur Mahi ko uske ghar lunch pe invite karta hai. Deepak ke Dad Mr. Harish Kumar bhi ghar pe hi the. Harish Uncle: Deepak bahot baate karta hai tumhare baare mein. Sam: Aaplog kaise hai. Harish Uncle And Sanjana Aunty: Humlog achhe hai. Tum kaise ho. Sam: Ekdum mast. Mahi: Uncle aunty main bhi aayi hu. Sanjana Aunty: Tumara toh roj ka aana jaana hai. Yeh first time aaya hai isse toh mile. Mahi: Ha ha mil lijiye. Mujhe kya. Yeh bol woh sofa pe baith jaati hai. Sanjana Aunty: Aree yeh toh naraz hogyi. Thik hai iske pasand ki pudding main RON ko de dungi. Mahi: Koi jarurat nhi hai meri pudding kisi ko dene ki. Aur main koi naraz nhi hu. Sab hasne lagte hai. Sam: Waise Uncle Deepak ne bataya aap scientist hai. Toh abhi aap kaunsa research kar rahe hai. Harish Uncle: Beta filhal toh main ek aise formula pe research kar raha hu jo human body aur brain and senses ko ek alag taqat dega. Aur yeh chiz mein army ke liye bana raha hu. Aur iska naam hai HDX. ( Sam jab yeh naam sunta hai toh usko kuch waqat pahle ki baat yaad aajati hai. Jab Rajesh ne usko maara tha property ke liye aur woh sofe pe baitha tha. Tab Rajesh call pe baat kar raha tha. Rajesh: Kya baat kar rahe ho. Aise bhi kahi hota hai kya. Saamne: Haa hota hai. Tabhi toh Malhotra aur Singhaniya iske pichhe padhe hai. Rajesh: Kya Malhotra aur Singhaniya. Saamne: Haa. Aur ab woh log wapas India aarahe hai. Rajesh: Yaani ab phir se India mein inka raaj chalna hai. Waise iss chiz ka naam kya hai. Saamne: Kuch HDX karke hai. Rajesh: HDX. Toh iske pichhe woh dono padhe hai. Saamne: Malhotra nhi khash kar ke Singhaniya. )Sam: Uncle issi chiz ke pichhe toh koi Singhaniya aur Malhotra padhe hai. Harish Uncle: Thoda tension mein. Tumhe kaise pata. Sam: Kuch waqat pahle maine sunna tha ke woh iske pichhe padhe hai. Harish Uncle: Dekho beta maine tumhe Deepak aur Mahi ka khash dost samaj ke yeh bataya. Tum yeh kisi ko naa batana. Warna bahot bada khatra aajayega sabke upar. Woh log iss chiz ko leke terrorist ko bechne ka soch rahe hai jiske badle unhe besumar daulat milegi. Sam: Aap chinta naa kare uncle main yeh kisi ko nhi bataunga. Tabhi waha Ron aata hai. Ron bahot hi alag kisam ka kutta hai. Uski aankhe neeli hai aur woh bahot hi jyaada active hai woh baakiyon se bilkul alag hai. Phir yeh log aise hi thodi der baate karke waha se chale jaate hai.
 
[color=rgb(255,]Update-3[/color]
[color=rgb(0,]Ghatnakram bari teji se badla rahe hain, jin-jin ko apna samjha, sabhi dhurt nikle, nakab odhe shatir, apna hone ka dikhawa karte hue.
Naye jigri bana bhi liye, yeh deepak ke papa kee ek baat samajh nahin aayee, yeh itni top secret baat koi itni easily kaise expose kar shakta hain, chahe wo uske bete ke dost hi kyun na ho.

Aise mamlo se toh insan apne bachho ko toh khaskar door rakhta hain, toh phir unhone ne itni jaldi aisi baate bata dee, strange.[/color]
Phir koi serum ke chakkar mein fasaoge, jo insano kee takat ko badhata hain. Purane logo mein ek matra rishi ka hi nakab na utra hain, kya pata usne bhi koi aur chola odha hua ho.

khair dekhte hain yehan pe aur kya hota hain iski life mein.
 

Update 4
Aise hi Sam ka time nikalne laga. Woh ab puri tarah se India ko bhul gaya tha aur london ke rang mein rang chuka thaa. Usne pub mein part time job bhi khoj li thi. Aise hi Sam ko london mein 2 saal ho jaate hai. Aur ab woh puri tarah se badal chuka tha. Pahle jo Sameer tha woh bhola bhala tha. Par ab jo Sam hai woh uska bilkul ulat hai. Pahle Sameer thoda kamzor tha. Par sam bilkul alag. Sam Deepak aur Mahi ki dosti bhi bahot achhi jaa rahi thi. Ek raat yeh log pub mein enjoy kar rahe the. Ab Sam drink bhi karta tha. Mahi: Full Nashe mein. Ayee Deepak tu mere Sam ko kya bola tha bewakoof ha. Woh bewakoof nhi hai. Woh hoshiyaar hai. Jisko Mahi pasand kare woh hosiyaar hi hoga samjha. Deepak: Chup kar meri maa tujhe chadd gayi hai. Chup kar warna woh sunn lega. Mahi: Areee kaun sunn lega. Saala jisko sunna chahiye woh toh sunta nhi. Pure 1 saal se sunane ki koshish kar rahi hu. Par saale ko sunayi hi nhi deta. Deepak: Main wohi bol raha hu. Woh sunn lega. Mahi: Achhaa mera baby sunlega. Toh sunne de naa. Hosh mein toh usse kuch keh nhi paati. Nashe mein hi kehne de. Kaha hai mera baby aaj usse sab bolungi. Baby baby kaha hai tu. Tabhi sam bill pay karke aata hai. Sam: Kya hua. Lagta hai aaj phir se jyaada hogyi. Mahi: Ayee tu chup kar aur meri baat sunn. Tujhe mere dil ki baat sunayi nhi deti kya. Yaa tujhe dikhayi nhi deta main tujhse kitna pyaar karti hu. Mere mom dad ko bhi tere baare mein pata hai bas ek tujhe hi nhi pata. Pata nhi kab tujhe pata chalega. Yeh bolte bolte woh uske baahon mein behosh hojaati hai. Sam Deepak ko dekhta hai toh woh apna sir pitt leta hai. Sam: Deepak yeh sab kya hai. Deepak: Kuch nhi bhai yeh nashe mein hai naa isiliye yeh sab bol gayi. Sam: Insaan nashe mein hi sach bolta hai. Aur ab tu aadhe nashe mein pura sach bol. Deepak: Pura sach toh isne hi pure nashe mein bol diya. Yeh tujhse pichle 1 saal se pyaar karti hai. Par kabhi bol naa saki. Sam: Chal ghar chal. Iske Mom ko bolde aaj yeh mere ghar rukh rahi hai tension na le. Deepak: Bhai naraz mat ho. Sam: Main sabki tarah nahi jo naraz hojaaye. Tujhe jitna bola utna kar. Isse toh kal baat karunga jab yeh hosh mein aayegi. Phir Sam Mahi ko apne god mein utha ke apne ghar le jaata hai. Deepak bhi wahi rukh gaya tha. Subah jab Mahi ki aankh khuli toh uska sir bhaari tha. Usko raat ka kuch bhi yaad nhi tha. Woh apne aap ko Sam ke flat mein dekhti hai. Aur bagal mein Sam ko soya hua paati hai. Mahi: Waah shaadi se pahle hi Sasural mein raat guzar gayi aur bagal mein apne hone wale pati ke saath. Dekho toh kitna masoom lag raha hai sote hai. Abhi toh mere muh se sab nikal raha hai. Par jab nikalne ka sahi time hota hai tab kuch bol hi nhi paati. Tabhi woh dekhti hai Sam ki neend toot rahi hai. Mahi: Good Morning. Sam usko dekhta hai par kuch bolta nhi aur waha se chala jata hai fresh hone. Mahi: Aree isko kya hua. Mere wish ka reply nhi diya. Thodi der baad jab yeh log fresh hoke nichhe breakfast karne lagte hai tab. Mahi: Ayee Deepak isko kya hua. Aisa muh banake kyo baitha hua hai. Deepak: Tujhe kal raat ka kuch yaad nhi. Ke tune kya kiya tha. Mahi: Nhi. Kya kiya tha maine. Sam: Main batata hu. Kal tumne nashe mein bahot saari baate ki thi. Mahi: Ki hongi toh kya. Deepak: Tune kal woh sab bhi bata diya tha nashe mein. Mahi: Kyaaaaaa. Maine woh sab bhi ugal diya. Sam: Ji haaa. Woh sab bhi ugal diya. Aur ab kya maine jaan sakta hu. Woh sab kya tha. Mahi: Ab jab tumhe pata chal hi gaya hai toh achha hi hua. Haa main tumhe pichle 1 saal se pyaar karti hu. Kaise hua kyo hua kab hua pata nhi. Bas tumse pyaar hogya aur maine apne mom dad ko bhi bata diya hai aur woh bhi khush hai. Sam: Kya tum pagal ho. Tum mere baare mein kuch bhi nhi jaanti ho. Main kaun hu. Mera past kya hai. Kuch bhi nhi. Mahi: Mujhe kuch nhi janna. Mujhe tumhare past se matlab nhi. Mujhe toh humare future se matlab hai. Tum kaun ho yeh mujhe nhi janna. Tum jo ho mujhe usse matlab hai. Aur inn 2 saal mein mujhe itna toh pata hai tum kabhi mujhe dhokha nhi doge aur naahi kabhi chorke jaoge. Sam: Tumhe pahle mere baare mein sab jaan lena chahiye. Mujhe bhi tum achhi lagi tumhare andar mujhe Ritika ki ek jhalak nazar aayi isiliye main bhi tumhari taraf attract hua. Mahi: Sab baad mein pahle batao yeh Ritika kaun hai. Humari nazar mein toh aisa koi nhi. Ayee Deepak tu jaanta hai kyaa kisi Ritika ko. Deepak: Nhii. Sam: Isiliye bola tha pahle mere baare mein sab jaan lo. Phir Sam apne baare mein sab unhe batata hai. Ritika ke apne maa baap dadaji sabke baare mein. Sam: Ab bolo kya tum ab bhi ek aise insaan ke saath aage badhna chahti ho. Jisse uske pyaar ne thukra ke beizaat kiya. Maa baap ne kabhi pyaar nhi diya. Mahi: Kya tum ab bhi usse pyaar karte ho. Jabki usne tumhe beizaat kiya. Sam: Haaaa. Kyoki main usse bachpan se jaanta hu. Hum eksaath bade hue. Eksaath khelte thee. Uski saari achhi aur buri aadat ke baare mein jaanta hu. Woh kya kar sakti hai kya nhi kar sakti yeh mujhse achha koi nhi jaanta. Usne jab mujhe woh sab bola toh main sehan nhi kar paaya aur yaha aagaya. Par jab mera gussa shant hua tab mujhe aihsaas hua usne yeh jaanmuzz ke nhi kiya. Uski koi toh majburi thi. Mahi: Kya mujhe mera pyaar kabhi nhi milegaa. Yeh bolte hue uske aankho mein aansu aajate hai. Sam: Uske aansu pochte hue. Mahi tum mujhe achhi lagi par main Ritika ko dhokha nhi de sakta. Aur tumhare saath bhi toh yeh ek tarah se dhokha hi hogaa. Mahi: Agar main kahu mujhe Ritika se koi problem nhi. Aur rahi tumhare maa baap ki baat toh mujhe tumhare saath rehna hai unke saath nhi. Bas mujhe mere hisse ka pyaar chahiye. Agar woh milgaya toh mujhe aur kuch nhi chahiye. Sam: Tum pagal ho Mahi. Haa yeh sach hai main ab bhi Ritika ko bhula nhi paya hu. Aur shayad kabhi bhula bhi naa pau. Mahi: Maine bola naa mujhe usse koi problem nhi. Agar future mein woh tumhara pyaar samaj ke wapas aati hai toh mujhe uske saath rehne mein koi problem nhi bas mujhe mere hisse ka pyaar chahiye. Aur agar mujhe tumne naa bola toh tum jaante ho mujhe tumhe khatam karne mein thoda bhi time nhi lagega. Kyoki main apni jaan toh dungi hi par pahle tumhari jaan lungi. Yeh bol woh hasnee lagti hai. Sam aur Deepak bhi hasne lagte hai. Mahi: Chalo aaj finally mujhe mera pyaar mil gaya hai toh hum ghumne chalte hai. Sam: Par maine haa kaha bola hai. Mahi: Achha tumne haa nhi bola naa abhi bulwati hu. Yeh bol Mahi apne seat se uth ke Sam ke paas jaati hai. Mahi: Toh tum haa nhi bologe rightt. Sam: Koi shakk. Mahi: Deepak jara bahar ka chakar laga kar aa tab tak tere jija ko ready karti hu. Deepak bas muskura kar waha se chala jaata hai. Mahi: Toh ab bhi haa nhi bologe. Sam: Tum karna kya chahti ho. Mahi uske aur kareeb jaake ab bhi haa nhi bologe. Sam bas uski aankho mein dekh raha tha jisme bas pyaar hi pyaar tha aur abhi ke liye shararat bhari hui thi. Sam: Mahi control karo. Mujhe sochne ka mauka toh do. Mahi: Pichle 1 saal se control kar rahi hu aur ab tumko sochne ka mauka chahiye. Teri toh yeh bol usne apne honth Sam ke hontho se chipka diye. Dono ekdum passionately liplock mein the. Sam pahle toh shock hua par jaldi hi khud ko sambhal ke uske saath dene lagta hai. 5 mins baad jab dono ki saanse ukhadne lagti hai tab jaake woh kiss todte hai. Par isbaar Sam ne usko jhakad liya aur phir se kiss start hogya. Yeh kiss thoda wild hogya thaa dono ek dusre ko aise kiss kar rahe the jaise ekdusre ko khaa jayenge. Thodi der baad kiss thodte hai. Sam: I Love You Mahi. Par main akela shayad tumhara naa ho saku. Mahi: I Love You Too Sam. Aur mujhe Ritika ko accept karne mein koi problem nhi hai. Bas Ritika aur koi nhi. Sam: Aur kabhi koi nhi. I promise. Phir dono ekdusre ke gale lag jaate hai. Aur aise hi lage rehte hai. Deepak: Ab agar tumlogo ka hogya ho toh ghar chale. Mahi: Tu jaa main apne ghar mein hu. Ab yehi mera ghar hai. Main apne baby ko chorke kahi nahi jaa rahi. Mere mom dad ko bhi koi aitraaz nhi hoga agar main iske saath rahu toh. Sam: Par mujhe hoga. Jab tak woh mere saamne apni puri marzi se permission naa de hum eksaath nhi rahenge. Bhale hi hum London mein hai yaha live-in koi badi baat nhi. Par phir bhi. Mahi: Maine tumhe apna life partner choose karke koi galti nhi ki. Yaha ladki ko ladka ya ladke ko ladki pasand aata hai aur agle hi pal usko bed pe lejaata hai. Agar tum chahte toh aisa kar sakte aur shayad main mana bhi nhi karti. Par pahle tumne mere mom dad ki permission ki baat ki .Ab jab tak mom dad apni puri marzi se nhi kehenge tab tak main tumhare saath nhi rahungi. I promise. Phir woh log apna breakfast complete karke Mahi ke ghar jaate hai.
 

Update 5
Vikram Uncle: Mujhe khushi hai ke meri beti ne jisko pasand kiya woh uske saath hai. Sam: Uncle main aapse kuch kehna chahta hu. Hosakta hai aapko galat lage phir bhi main aapko andhere mein nhi rakhna chahta. Vikram Uncle: Bolo kya bolna hai. Phir Sam unko sab kuch batata hai jo Mahi ko bataya tha. Vikram Uncle: Dekho tumhare saath jo hua woh bahot galat tha. Aur mujhe Ritika se koi problem nhi hai. Kyoki mujhe issbaat ki khushi hai tumne 1st day hi sabko sach bata diya. Tum chahte toh yeh chipa ke rakh sakte the. Par tumne aisa nhi kiya. Aur yeh saabit karta hai tum kabhi kisi ko dhokha nhi doge. Par kya Ritika meri beti ko accept karegi. Sam: Agar usne accept nhi kiya toh main usko chorr dunga par Mahi ko kabhi bhi nhi chorunga I Promise. Nandini Aunty: Phir humhe bhi koi problem nhi hai. Mahi: Mom Dad mujhe bhi aapse kuch puchna hai. Nandini Aunty: Humhe pata hai par abhi woh possible nhi hai. Kuch time rukh jao. Tumhari engagement kardenge phir chahe toh saath rehna. Par uske pahle nhi. Mahi: Mujhe koi problem nhi hai. I am ready. Infact Sam ka bhi yehi kehna tha ke jab tak aaplog khud se permission naa de woh mujhe apne saath nhi rakhega. Vikram Uncle: Par pahle apni padhai complete karo aur settle hojao. Phir aage ka kuch sochna humne tumhare relation ko accept kiya hai but tum dono ko apna future strong karna hoga. Sam: Main puri koshish karunga. Aur engagement bhi settle hone ke baad hi hogi. Mahi: Main Sam ki baat se sehmat hu. Phir Yeh log wahi par lunch karte hai. Sam apne flat ki taraf nikal padhta hai. Sam jab apne flat pe aata hai tab waha kuch der baad 1 aadmi 1 ladka aur 1 ladki aate hai. Sam: Ji kahiye kisse milna hai. Aadmi: Mujhe Sameer Sharma se milna hai. Sam: Ji aap kaun. Aadmi: Ji mera naam Ashok hai. Aur rishte mein main tumhara muh bola chacha lagta hu. Sam hasne lagta hai. Dekhiye meri koi family hi nhi hai chacha toh durr ki baat hai. Ab aap jaa sakte hai. Ashok: Mujhe tumhare dadaji Mr. Ranjit Sharma ne apna beta maana tha. Usi rishte se main tumhara chacha hu. Kya ab bhi vishwaas nhi hai. Sam: Aap mere dadaji ko jaante the. Ashok: Haa woh mere pitaji ke bahot hi achhe dost the unki maut ke baad unhone mujhe apna beta banaliya. Aur unhone tumhare liye kuch chora hai mere paas. Unhone kaha tha sahi time aane par tumhe de du. Sam: Achha. Kya hai woh. Ashok: Unhone tumhare liye property chori hai. Sam: Maine yaha aane se pahle iss property naam ke kalesh ko uss Rajesh Sharma ke naam kar aaya tha. Ashok: Jaanta hu. Par yeh woh property nhi hai yeh tumhare dadaji ki secret property hai. Jiske baare mein mere sivaa kisi ko nhi pata unhone bahot pahle hi mujhe bula kar yeh tumhare naam karne ko kaha tha aur mujhe tumse kuch batane ke liye bhi kaha tha par uska abhi sahi waqat nhi aaya hai. Filhal abhi property dene ka waqat hi aaya hai. Sam: Secret Property. Aur yeh unke paas aayi kaise. Ashok: Yeh unhone mujhe kabhi nhi bataya. Sam: Thik hai. Waise kitni hai. Ashok: Itni jitni pure India mein kisi ke paas nhi. Matlab tum India ke sabse ameer insaan ho. Sam: Kyaaaaa. Itni property. Par yeh dadaji ke paas kaha se aayi. Ashok: Woh toh nhi pata par maine apne pitaji se sunna tha tumhare dadaji ke dadaji kisi ek jamane ke raja the. Phir jab desh azaad hua toh unhone woh saari daulat government se chupa li aur shayad yeh wohi property hai. Sam: Ooo. Thik hai jab dadaji ne mere naam kiya hai toh main yeh accept karta hu. Par itne paiso ka main karunga kya. Ashok: Yeh toh tumhe decide karna hai. Sam: Waise yeh dono kaun hai. Ashok: Yeh mera beta hai Vishal aur yeh meri beti Soniya. Vishal ek secret agent reh chuka hai aur isse achha computer knowledge kisi ke paas nhi hoga. Aur Soniya se achha business mind kisi ke paas nhi hoga. Tum keh sakte ho yeh inndono ke paas GOD gift hai. Sam: Great. Isse mujhe inn paiso ka kya karna hai iska idea bhi aagaya. Ashok: Kyaa karna hai. Sam: Business. Soniya Ji aap ek company start kare aur uss company ko ek multi national company banaye. Soniya: Par kis chiz ki company kholni hai. Sam: Dekhiye mujhe innsab ka koi knowledge nhi hai. Woh sab aap dekh lijiye. Soniya: Okkk. Main dekh lungi. Waise company kis naam se kholni hai. Sam: SRM ke naam se. Soniya: Okkk. Ashok: Aaj se tumhe kabhi bhi koi bhi problem ho bas mujhe ek call karna. Mujhe yaha ke Senator se lekar India ke PM tak jaante hai. Sam: Waise mujhe puchna toh nhi chahiye. Par aap karte kya hai. Ashok: Main India ka secret foreign embassador hu. Jiske baare mein sirf India ke Prime Minister,President aur yaha ke Senator,Prime Minister aur Queen hi jaante hai. Sam: Greattt. Ashok: Toh ab humhe chalne chahiye. Kabhi bhi koi bhi problem ho toh hum teeno mein se kisi ko bhi call kar lena. Aur humhare baare mein abhi kisi se naa kehna ke humhari real identity kya hai. Sam: Okkk. Samaj gaya. Phir Ashok and family waha se chale jaate hai. Sam sochta hai kal tak jaha uske paas limit ke paise the wahi aaj uske paas itna hai ke kabhi khatam hi naa ho. Phir Sam ke paas Mahi ka call aata hai. Woh log baate karte hai. Sam usse Ashok and family ki real identity chorke sab batata hai. Mahi: Iska matlab ab tumhare paas behisaab paisa hai aur tum ab business kar rahe ho. Yaani tum settle hogye. Sam: Ab tumhe apna banana hai toh kuch toh karna hi hoga naa aur abhi apne ghar mein kuch naa bolna. Ekbaar company ko speed lene do phir bolna. Mahi: Okk. Jaisa tum kaho. Phir aise hi 6 months guzar jaate hai. Inn 6 months mein company bhi start hogyi thi jo Soniya aur Vishal hi sambhalte the. Idher yeh log ab school ke last year mein the. Ek din Sam bike se ghar aaraha tha. Ek bus jiska breakfail hochuka tha woh bhi sam ke pichhe hi thi. Toh achanak uss bus se Sam ki bike ki takkar hojaati hai. Jisse uske sir mein bahot gehri chott aati hai. Usko hospital le jaaya jaata hai. Police ko bhi inform kiya jaata hai. Police ne Sam ka mobile jo puri tarah se toot chuka tha usse uske jaan pehchan walo ka number nikalke call karke bata dete hai. Police ne Harish Uncle aur Sanjana Aunty ko hi call kiya tha. Harish Uncle yeh sunte hi Deepak aur Mahi ko call lagake bolte hai. Aur hospital aane ko bolte hai. Mahi toh yeh sunte hi rone lagti hai. Uske mom dad usko shant karwa ke hospital leke aate hai. Jaha pahle se hi Deepak and family thi. Mahi sidha jaake Sanjana Aunty ke gale lag ke rone lagti hai. Sanjana Aunty: Mahi chup hojao. Kuch nhi hoga usse. Woh bilkul thik hojayega. Aise mat ro. Woh thik hojayega. Andar doctor uska treatment kar rahe hai na. Par uska rona kaha rukhne wala tha. Wahi kahi durr kisi ka dil bada bechain tha. Usko lag raha tha jaise uski aatma usse kahi durr jaa rahi hai. Usko kaise bhi chain nhi aaraha thaa. Idher Doctor 3 ghante tak OT mein the phir bahar aate hai. Doctor: Dekhiye main jhooti umeed nhi dunga. Par uska dimaag koi response nhi kar raha hai. Jisse uske treatment pe koi asar nhi hua aur ab uska bachna impossible hai. I am Sorry.Harish Uncle: Doctor aisa naa boliye koi toh raasta hoga. Doctor: Sir. Humne apni taraf se puri koshish ki hai. Patient ke sir mein bahot gehri chott aayi hai jisse uska dimaag response hi nhi kar raha hai aur uspe koi treatment kam nhi kar raha hai. Yeh bol Doctor waha se chala jaata hai. Mahi yeh sunke jor jor se rone lagti hai. Sanjana Aunty aur uski maa usko sambhal rahe the. Aankhe toh sabhi ke namm the. Deepak: Dad aap uspe apna formula HDX use karke dekhiye shayad kuch kaam hojaaye. Harish Uncle: Kaisi baate kar rahe ho Deepak. Abhi tak humne uss formula ko human ke upar test nhi kiya hai. Isse iski jaan ko khatra hosakta hai. Deepak: Doctor ne toh waise bhi boldiya hai yeh bachne wala nhi hai. Toh kyo na iske upar hi kare. Mahi: Please Uncle mere Sam ko bacha lijiye. Main uske bina nhi reh sakti. Please uncle kuch kijiye. Harish Uncle: Beti tum ro mat main karta hu kuch. Deepak: Dad aapne kaha abhi tak humans ke upar test nhi kiya hai toh kya aapne kisi aur ke upar test kiya hai. Harish Uncle: Haa tumhare pet Ron ke upar. Aur woh successfull raha thaa. Deepak: Toh aap Sam ke upar kare. Harish Uncle: Toh thik hai isko jaldi se yaha se shift karke ghar ke basement mein bane lab mein le jaana hoga. Vikram Uncle: Chalo hum doctor se baat karke isko le jaate hai. Phir woh log Sam ko hospital se ghar ke niche bane lab mein le aate hai. Waha uske upar Uss formula ko insert kiya jaata hai. Unko darr tha kahi iss formula se koi side effect naa ho isiliye woh pahle thoda sa hi dete hai. But kuch ghante baad jab formula kaam kiya tab unhone pura formula Sam ko de diya. Vikram Uncle: Humhara HDX kamyaab raha. Sam ab khatre se bahar hai. 2-3 din baad usko hosh aajayega tab woh pura badal chuka hogaa. Aur tab hum aaplogo ko kuch baate batayenge HDX ke baare mein. Mahi apne dad ke gale lagte hue. Thank you so much dad. Aapne meri zindagi mujhe wapas de di. Thank You so much. Vikram Uncle: Aree woh humhari beti ki zindagi hai. Usse kuch kaise hone dete. Aur ab chinta mat karo. Woh bilkul thik hai. Phir sab lab se ghar mein aate hai. Mahi ke mom dad toh apne ghar chale jaate hai par Mahi wahi rukhti hai Sam ke paas. Mahi ne call karke Ashok ko bhi puri baat bata di. Jisse pahle toh woh bahot tension mein aaye but baad mein normal hue aur sochne lage Sam ko formula laga isse thik hi hua. Kyoki badla lene mein yeh uski achhi madad karega.
 

Update 6
3 din baad Sam ko hosh aata hai. Harish Uncle: Kaise ho Sam. Ab kaise feel horaha hai. Sam: Bahot hi powerfull feel kar raha hu. Harish Uncle: Yeh sab HDX ke wajah se horaha hai. Tumhara accident hua tha jisme tumhare bachne ke chances bahot kam the. Isiliye humne tumhe bachane ke liye woh formula use kiya. Sam: Thank You so much. Mujhe bachane ke liye. Harish Uncle: Aree isme Thank You kaisa. Tum bhi humare bete jaise ho. Aur upar se Mahi se pyaar karte ho. Tumhe kaise kuch hone dete. Mahi: Ab kaise ho. Thik ho naa. Tumne mujhe kitna dara diya tha. Sam: Ekdum fit hu. Aur ab kabhi chorke nhi jaunga. I promise. Yeh bol usko kash ke gale laga leta hai. Deepak: Dad aapne bola tha isse hosh aajane ke baad aap kuch batayenge. Harish Uncle: Haa. Dekho Sam. Yeh formula lagne ke baad toh tum khud apni body mein changes dekh sakte ho. Tumhari body ab bahot jyaada strong hogyi hai. Tumhara brain jaha pahle agar 50% kaam karta toh ab 90% karega. Kyoki 100% kisika nhi karta. Tumhare chehre pe ek aisa attraction aajayega jisse koi bhi ladki tumhari taraf attract hogi. Isiliye sambhal ke rehna. Aur baat kare tumhare senses ki toh woh super strong hogaye hai. Tum choti se choti chiz bhi dekh sakte ho like a microscope. Chahe koi kitni bhi dheere baat kare tum uske upar concentrate karke woh sunn sakte ho. Aankhe band karke jiske upar bhi concentrate karoge usko dekh sakte ho aur uski baate sunn sakte ho.Aur last Mahi tumhare liye hai ek khash baat iss formula ke wajah se yeh ek chiz mein out of control hojayega jisse shayad tum isse akele sambhal naa pao. Mahi: Samjhi nhi uncle. Harish Uncle: Yeh hum tumhe nhi bol sakte. Phir Harish Uncle Sanjana Aunty ke kaan mein kuch bolte hai aur woh baat Mahi ko bolne ko bolte hai. Sanjana Aunty: Ab aap dono bahar jaaye. Phir Harish Uncle aur Mahi ke papa bahar chale jaate hai. Mahi: Aunty uncle ne aisa kya kaha. Sanjana Aunty: Mahi woh keh rahe the. Tum isko bed mein akele nhi sambhal paogi. Uss formula ke wajah se iski woh wali power badh gayi hai jo koi ek nhi sambhal payegi. Mahi yeh sunte hi sharm se laal hojaati hai. Woh apna muh apni maa ke pichhe chupa leti hai. Sanjana Aunty: Yehi thi woh last baat jo woh tumse kehna chahte the. Mahi abhi bhi bahot sharma rahi thi. Bhale hi woh bahot open ho par thi toh ek ladki hi. Sam bhi yeh baat sunke sharma raha tha. Mahi: Thik hai aunty main samaj gayi. Aur humare paas ek dusra option bhi hai. Isiliye chinta ki koi baat nhi hai. Sanjana Aunty: Pata hai mujhe phir bhi tumhe batana toh tha hi. Ab tum jano aur yeh jaane. Humhe kuch nhi pata yeh bol woh waha se nikal jaate hai. Deepak bhi waha se nikal padhta hai. Mahi ab bhi sharma rahi thi woh Sam se najre nhi mila paa rahi thi. Sam bhi sharma raha tha par woh himmat karke bolta hai. Sam: Mahi. Mahi: Hmmm. Sam: Jab tak Ritika ka matter sort out nhi hoga tab tak hum aage nahi badhenge. Mahi: Bhale hi tum usse pyaar karte ho. Par uske saamne aane se toh tumhe bahot gussa aayega. Sam: Jaanta hu. Par yeh gussa dheere dheere khatam toh ho hi jayega. Isiliye chinta mat karo. Mahi: Dekhte hai. Waise tumhe dekhkar ab mujhse control nhi horaha hai. Man kar raha hai tumhe abhi khaa jau. Yeh bol uske hontho ke apne hontho mein kaid kar leti hai. Dono bahot hi passionately kiss kar rahe the. Sam ka ek Mahi ki kamar pe tha aur dusra uske sir pe. Mahi ka ek haath uske Sam ke sir pe tha toh dusra uske peeth pe. Dono aankhe band kiye bas kiss ko enjoy kar rahe the. Thodi der baad jab unki saanse ukhadne lagti hai tab woh alag hote hai. Mahi sharma ke Sam se seene se lag jaati hai. Mahi: Ab toh tumhare andar superpowers hai toh ab kya karoge. Sam: Karna kya hai. Yeh toh mujhe bhi nhi pata baad mein sochenge. Chalo bahar chalte hai. Phir yeh dono bhi bahar aate hai.Harish Uncle: Sam ab tumhe hardin meditation karke jo powers hai usko control karna sikhna hoga. Aur tumhare andar super strength bhi hai toh usko use mein laana sikhna hoga. Warna yeh tumhari body ko jyaada heat karegi jo tumhare liye khatarnak hosakta hai. Sam: Uncle kya main kuch suggest karu. Harish Uncle- Haa bolo naa. Sam: Sir abhi meri age bhi real age se badi lag rahi hai. Aur super strength bhi hai toh kya main burai ka safaya kar sakta hu. Vikram Uncle: Matlab. Sam: Uncle main chahta hu main secretly apni power ka use karke drug mafia, underworld, aur inke jaiso ko khatam karu. Harish Uncle: Isme bahot bada khatra hai. Isse tumhari jaan bhi jaa sakti hai. Mahi: Sam uncle sahi keh rahe hai isme tumhari jaan bhi jaa sakti hai. Aur main aisa nhi hone dungi. Sam: Dekho ab inn powers ko kahi toh use karna hoga naa. Toh isse best kya hoga. Powers ka use ke saath bhalayi bhi. Harish Uncle: Par tumhari body kisi bhi weapons se protect nhi hai. Jisse tum yeh sab bol rahe ho. Tumhe bhi chott lagegi aur tumhara bhi khoon niklega bas woh bahot jaldi thik hojayegaa. Aur agar kisi jaanleva hatiyaar se waar hua toh shayad tum wahi pe mar sakte ho. Vikram Uncle: Shayad nhi mar sakta hai. Sam ka idea achha hai. Aur uski body ko weapons se safe rakhne ke liye hum kuch experiment kar sakte hai. Jisse isko koi weapon harm naa kare. Sam: Tab toh koi problem hi nhi. Uncle agar aap aisa kar rahe hai toh aisa kuch kijiyega jo permanent naa ho. Harish Uncle: Matlab. Sam: Main chahta hu yeh weapons se safe rehne ka jo bhi chiz ho woh bas tabhi kaam kare jab main chahu. Har waqat yeh active naa rahe. Agar harwaqat active rehta hai toh sabko pata chal sakta hai. Vikram Uncle: Samaj gaya. Hum jaldi hi aisa kuch sochte hai. Sam: Achha kya aaplog kisi aise ko jaante hai jo mujhr har tarah ki fights ke liye train kar sake. Kyoki sirf powers hona hi jaruri nhi. Powers ko kaise use karna hai yeh bhi pata hona chahiye. Harish Uncle: Woh main kar dunga. Mera ek dost hai jo tumhe train kar dega. Pahle woh army mein tha but kisi problem ki wajah se ab woh army mein nhi hai aur self defense ki coaching deta hai. Sam: Great. Toh aap unhe bula lijiye. Mahi aur Deepak bhi mere saath training lenge. Self defense sikhe rakhna bahot jaruri hai. Mahi aur Deepak: Lag gayi. Sab log yeh sunke jor jor se hasne lagte hai. Phir Sam apne ghar chala jaata hai. Waha jaake Ashok Uncle se baat karta hai aur unhe apne thik hone ki khabar deta hai. Ashok: Yeh bahot achhi baat hai. Aur formula hone se bhi bahot achha hua. Yeh tumhare kaam aayegi baad mein. Sam: Haa sahi kaha. Aur business kaisa chal raha hai. Ashok: Business achha chal raha hai. Company ko bade bade orders bhi mile hai jisse achhe se execute bhi kiya jaa raha hai. Sam: Chalo achha hai. Phir yeh thodi der baat karke call cut kar dete hai.
 

Update 7
Next Day se Sam, Mahi aur Deepak school jaate aur phir apni training lete. Sam ko tiredness feel nhi aati par Mahi aur Deepak ki halat kharab hojaati. Trainer bhi Sam ki power dekh ke shock hota. Koi itna active kaise hai. Aise hi 6 months guzar haate hai. Inki training bhi puri hochuki thi. Sam ko har tarah ki fighting skills sikhayi gayi thi. Jisse uski body pahle se jyaada strong hochuki thi. Mahi aur Deepak ko bas self defense hi sikhaya gaya tha. Jisse woh apni aur apne dosto ki raksha kar sake. Inn 6 months mein Sam ne naa sirf apni training li infact usne mediation se apne powers ko bhi control kiya. Jisse woh kisi ko aankh band karke sochta toh woh usse dikhne lagta aur woh kya baate kar rahe hai yeh sunn sakta. Kisi ke upar bhi concentrate karke woh uske man ki baat bhi sun sakta tha. Aur uski attraction power bhi badh gayi thi jisse harkoi uski taraf attract hojaati thi. Inke School bhi khatam hochuke the. Ab inko college mein addmission lena tha. Sam ne toh business choose kiya aur Deepak ne Science kyo usse apne dad ki tarah scientist banna tha aur Mahi ne IT field choose kiya. Toh unhone ek hi college mein addmission le liyaIdher Harish Uncle aur Vikram Uncle ne ek aisa dress banaya tha jo har tarah ke weapon se safe tha. Jo bhi iss dress ko pehnega woh har tarah ke weapon se safe rahega. Iss dress mein ek black hoodie type jacket,ek black t-shirt aur black pants the. Yeh dress dikhne mein bilkul normal thi. Mahi, Sam aur Deepak ko yeh dress bahot achha laga. Par ab isse use kaise kare yeh problem tha. Matlab Sam ko kaise pata chalega kaha pe yeh Criminals hai aur crime horaha hai. Tabhi Sam ko ek idea aata hai woh Ashok Uncle ke bete Vishal ko call karke Harish Uncle ke flat mein bulata hai. Sam: Vishal Bhaiya aap ko toh mere baare mein sab pata hai. Mere andar superpowers aagayi hai. Vishal: Haa mujhe pata hai. Aur mujhe yeh bahot hi exciting lag raha hai. Sam: Toh mujhe aapki help chahiye. Kyoki main inn powers se Drug mafia, underworld aur inn jaiso ko khatam karna chahta hu. Vishal: Yeh toh achhi baat hai but isme tumhari jaan ko bahot khatra hai. Sam: Mujhe pata hai par koi bhi human mera kuch nhi bigaad sakta aur weapons se safe rahne ke liye Uncles ne mere liye ek special dress design kiya hai jo mujhe har tarah ke weapons se safe rakhega. Vishal: Yeh toh bahot achha hai. Toh tumhe mujhse kaisi help chahiye. Sam: Mere pass Powers hai. Aur powers ko use kaise karna hai yeh bhi pata hai par kaha pe use karu yeh nhi pata. Matlab mujhe yeh log kaha pe milenge jisse main inko khatam kar saku. Vishal: Haa yeh toh hai. But mujhe issbaare mein koi knowledge nhi hai. Sam: Aapke paas hai bhaiya. Aur isiliye maine aapko bulaya hai. Vishal: Matlab. Sam: Bhaiya mujhe Uncle ne bataya tha aapke jaisa computer knowledge kisi ke paas nhi. Toh main chahta hu aap ek aisa system design kare jisse hum pure desh pe nazar rakh sake. Matlab ek AI system banaye. Jaise JARVISH. Vishal: Idea achha hai. But maine kabhi yeh banaya nhi hai. Aur shayad main akele yeh naa bana pau. Aur kisi anjan ko isme involve karna bahot khatarnak hosakta hai. Sam: Aap akele nhi hai bhaiya. Meri Mahi hai naa. Uske paas bhi computer aur IT field ki achhi knowledge hai. Woh aapki help karegi. Isse uski bhi knowledge increase hojayegi. Kyo Mahi karogi naa. Mahi: Tum kaho aur main naa karu aisa kabhi hosakta hai. Aur isse toh mujhe bhi sikhne ko milega. Vishal: Okk main koshish karunga. Par isme bahot amount lagega. Sam: Aree uski kya tension hai. Aap sidha Soniya didi ke paas jao aur unse contact karo. Mere paas jitna bhi hai sab wohi toh handle karti hai. Waise kitna din lagega banane mein. Vishal: Dekhte hai. Kitne din lagte hai. Kuch keh nhi sakte. Main koshish karunga jald se jald complete karu. Par mujhe isko banane ke liye koi aisi jagah chahiye jaha sirf hum ho. Sam: Okk. Aap taiyaari karo. Jagah mein dekh leta hu. Aur ek baat ka dhyaan rakhiyega iske baare mein kisi ko pata naa chale. Vishal: Tum befikr raho. Maine tumhe apna chota bhai mana hai. Koi problem nhi hogi tumhe. Sam: Thank You bhaiya. Aur aapko jab bhi Mahi ki jarurat ho usko call kar lena. Vishal: Okk. Ab main chalta hu. Phir Vishal waha se chala jaata hai. Harish Uncle: Bahot hi achha socha hai tumne unhe khatam karne ka. Aur yeh system tumhe bahot kaam bhi aayega. Sam: Isiliye toh Vishal bhaiya ko bola. Mahi: Par tumhe koi achhi jagah bhi dhundni hogi. Harish Uncle: Woh jagah mere paas hai. Yaha pe mera ek bunglow khaali padha hai. Tumlog chaho toh waha pe yeh kar sakte ho. Woh thoda khaali jagah pe bhi hai aur tumlog chaho toh waha pe reh bhi sakte ho. Sam: Nhi uncle. Main woh nhi le sakta. Main Soniya Di se keh ke kuch aur karwa lunga. Pahle hi aaplogo ne bahot kuch kiya hai. Harish Uncle: Mahi meri beti hai. Aur main meri beti ko de raha hu isse tumhe koi problem nhi hona chahiye aur maine tumhe sirf bolne ke liye hi nhi sach mein beta maana hai. Sam ki aankho ek pal ke liye nami aajati hai. Harish Uncle: Mujhe pata hai tumhe kabhi bhi parivaar ka pyaar nhi mila hai isiliye tum thoda darte ho. Par humne tumhe humesha apne parivaar ka member hi maana hai. Isiliye bina kuch kahe waha pe start karo. Sam unke gale lag jaata hai. Mahi aur Deepak bhi gale lag jaate hai. Phir Sam Vishal ko call karke woh address deta hai aur pura system wahi pe banane ko bolta hai. Vishal apne kaam mein lag jaata hai Mahi bhi uski help karne lagti hai. Jab tak system ready nhi hota Sam bhi ghum ghum kar kuch info collect karta hai aur apna kaam bhi karta hai. Usne 1 drugs ke container ko jala diya tha. Jo waha ke don ka tha. Aur uss container pe DEVIL likh diya tha. Pure sehar mein kuch waqat tak DEVIL ki hi charcha horahi thi. Mahi, Sam aur Deepak ke college ka aaj first day tha. Deepak apni car se Sam aur Mahi Sam ki car se college aaye. Sam aur Deepak ki car ekdum latest thi.Jab yeh 2 car college mein aayi toh sabki nazar jaise inke upar jam gayi. Aur jab Deepak car se utra toh kuch ladkiyan taadne lagi. Kyoki Deepak ne Black Shirt aur Blue Jeans mein tha jo pura body fit tha aur training ki wajah se uske bhi achhi body ban gayi thi. But jab Sam apni car se utra toh saari ladkiyan Sam ko taadne lagi. Infact jo Deepak ko taad rahi thi woh bhi. Kyoki Sam toh thaa hi sabse alag. Usne Black Jeans, White T-Shirt aur upar ek White Jacket pehna tha jo pura body se chipka hua tha. Jisse uske muscles, abs aur body cut saaf samaj aarahe the. Waha khadi har ladki ki chut se paani behne lagta hai. Kuch ladkiyan toh jaldi se washroom bhagti hai. Sam ne apni car ka dusri taraf se Mahi ko utara. Mahi bhi kuch kam nhi lag rahi thi usne ek White jeans with Red Top pehna tha iska bhi pura body fitting tha. Mahi toh pahle se hi hot thi aur training ki wajah se yeh aur attractive hogyi thi. Saari ladkiyan Sam ko taadne mein busy thi but jab Sam ke saath Mahi ko dekhti hai toh unki aankho jalan saaf nazar aata hai. Ladke bhi Mahi ko taadne lagte hai. Aur unke pant mein tamboo ban jaata hai. Unme se hi ek ladka jo senior tha woh toh Mahi ko dekhte hai fida hogya. Ladka sochta hai kya ladki hai. Aaj tak iske jaisi nhi dekhi. Yeh ab tak mujhse bachi kaise hai. Iska ras toh peena hi padega. Saali ko apni personal randi banake rakhunga. Ufff iski gaand aur boobs toh dekho kaise bade bade hai. But koi baat nhi ab yeh humesha mere paas rahegi. Woh uske paas jaata hai aur baate karne lagta hai. Ladka: Hii! Mera naam Max hai. Aap sach mein bahot hi jyaada Hot and sexy hai. Aapko dekhte hi mujhe aapse pyaar hogya hai. Mahi: Sorry. Aap kya pagal hai. Max: Mujhe aapse pyaar hogya hai. I love you. Ab yeh london hai. Yaha kisi ko bhi I Love You bolna jaise ek fashion hai.Mahi: Go To Hell. I Have a Boyfriend. Max: Leave him. Otherwise I can do something with him. Mahi ne usko ghuma kar ek thappad mardiya. Mahi: How dare you tumhari himmat kaise hui mere jaan ke baare mein aisi baat bolne ki. Nikal yaha se. Max: Saai raand teri itni himmat tu mujhe thappad maare. Ab tak toh tujhse pyaar se baat kar raha tha. Socha tha tujhe raani banaunga. But ab dekh tera kya hota hai. Tujhe toh apni randi banake chodunga aur apne saare dost aur aadmiyon se chudwayunga aur teri chut aur gaand ko fhaad dunga. Tu mujhe jaanti nhi mere dad yaha ke don hai. Tere aur tere uss boyfriend ko pure khaandan ke utha ke gayab kardunga aur uski maa behen ko bhi apni randi banaunga Sam ne gusse mein ek mukka uske muh pe de maara jisse woh wahi girr gaya aur uske saamne ke 2 daant toot gaye aur uska jabda hi toot gaya aur khoon nikalne laga. Sam: Behenchod meri jaan ko apne bistar pe rakhega. Yeh bol uske main point pe ek laat marta hai jisse uski chikh pure college mein gunj uthti hai. Aaj ke baad tu kabhi bhi kisi ladki ki taraf aankh utha kar bhi nhi dekh payega. Yeh bol woh Mahi ka haath pakad ke college ke andar aajata hai. Deepak bhi unke pichhe pichhe chala jaata hai. Deepak: Waah bhai 1st day hi tune college mein apni chalani start kardi. Sam: Koi agar meri jaan ke baare mein kuch bolega toh wahi uske pure khandan ko chod dunga. Mahi: Par woh yaha ke don ka beta hai. Aur kuch din pahle hi tumne uske drugs ko jalaya hai.Sam: Tension mat lo. Kuch nhi hoga. Main Ashok Uncle se baat karta hu. Mahi: Unse baat karke kya hoga. Sam: Woh sambhal lenge. Tum tension mat lo. Deepak: Woh toh don ko sambhal lenge par tujhe inn ladkiyon se kaun bachayega. Dekh kaise tujhe khaa jaane wali nazro se ghurr rahi hai. Sam aur Mahi jab dekhte hai toh saari ladkiyan Sam ko hi ghurr rahi thi.
 
Back
Top