• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Chudai Ki Story - ABHI -- THE WARRIOR

[color=rgb(40,] Updare - 21[/color]
[color=rgb(40,]
abhi tak aapne dekha ....
A1 apni yaatra mein Manda gaon pahuncha......Mukhiya ji se anguthi prapt karna......
aur Parvat par pahuchna....
waha kuch adrishya shaktiyo ka saamna ....ab aage.....


niche girte hi mein phir aage jane laga .fir kisine muzhe uthakar fenka aur wahi ...bhari si aawaj...
ab muzhe krodh aanelaga tha

phir bhi apne mann ko shant karte hue

mein - kaun hai yaha jo mera raasta rokne ka prayatna kar raha hai..
dekho meri tum se koi shatruta nahi hai .....muzhe jaane do.....

phir aage bada toh fir se wahi...hua

mein - kaun hai saamne kyu nahi aata
bas ab bahut hua.......kahte hai na laato k bhut baaton se nahi mante....

aawaj - ha..ha...ha...bache tu karega humara mukabla......shatruta toh tune kar li hai ..hamari baat na maakar

ab tum khud apni maut ke jimmedar hoge.....ha...ha...ha.....

phir maine Jal aur prithvi tatva ki urja
milakar ek gola tayar kiya aur apne antahakaran (sub concious mind)
ko aur apni ghyanendriyo
(sharir k woh ang jisse hum mehsus karte hai...aankh, naak ..kaan..juban
aur tvacha ) jagrit kiya aur aage kadam badaya ....jaise hi mein aage bada muzhe apni daayi aur se kuch urja ka aabaas hua aur meine do tatvo se bana urja ka gola uski disha mein choda ...phir gunji ek dard naak cheekh....aur jab meine dekha toh saame ek 20 ft uncha daitya niche gira hau karah raha tha......

bada bhayankar tha dikhne mein poora sharir kaala aur badi badi laal aankhien.....

mein -- dekha muzhse ulazne ka parinam ....kahi cjot toh nahi aayi
bacche ...alle ..alle...le

Aawaj - ha ..ha..ha bache achaa andaj hai ...jo niche gira hai woh mein nahi

wasie dum hai tumme ...hazaaro varsho se koi mukable ka mila nahi
ab aayega maza.....

tabhi woh daytya phir khada hua aur apne bade se mudgar jaise lakdi se uthakar prahaar karne aaya jaise hi woh muzhe maarta , mein apni jagah se hat gaya....aur woh phir mitti mein

tabhi mera mann mein iss khel ko khattam kane ka vichar aaya....
aur maine paanch tatvo ki urja ko milakar ek talwar pragat ki aur uska mukh uss daytya par kiya jisse paanch rang ki kirne nikli aur usska sharir paanch tatvo mein vibhajit ho gaya..aur khel khatam.....tabhi kisi ne mere haath par jor se prahaar kiya jisse muzhe bahut dard hua...aur talwar mere haato se dur gir gayi...

mein talwar ko wapas uthata ki tabi ek aur prahaar mujh par hua...

aawaj -- ha ha ....ha abhi toh ek hi khatam hua hai bacche ..kitno ko maaroge ...ek khatam hua tooh do aayenge ab rok ka dihka ...

mein phir se do tatvo ki urja ka gola banane laga ki phir muzhe kisi ne uthakar pheka...ab mere mann mein aaya ki aise toh kuch nahi hoga

iss aawaj wale ko hi dekhna hoga..
phir maine apne chaaro taraf ek bawander banaya aur apne chakro ko jagrit karne mein lag gaya...

aawaj - accha toh bawander mein chup raha hai ....tabhi awaaj ki disha se kuch neeli kirne nikli aur bawander wahi gayab tab tak mein apne 7 chakrao ko jaagrit ka chuka tha....
kyu ki abhi Tak ki shiksha mein inhi 5 ko jaagrit kar paaya tha jo 5 tatvao ki urja ka kendra hai
1 ...MOOLADHAR ...prithvi tatva

2 ... Swadhisthan...... Jal tatva

3..... Manipurak......Agni tatva

4..... Anahat...... Vayu tatva

5.... Vishuddhi.... Aakash tatva

jab uss neeli kirno se mera banaya hua bawander khatam hua ..tab tak mein inn chakro ko jaagrit ka chuka tha aur in 5 tatvo ki urja ko ek karke ek bandhan banaya aur chod diya uss taraf jaha se kirne aayi thi .....
tabhi gunji ek cheekh ....naahiiiii

aur saamne mere urja k bandhan mein tadpta hua ek mahadaytya jo kareeb 20 ft bada aur swarn k aabhushan pehne hue tha ...

mein... ab kya kahte ho ...bahut chup chupkar apni maya dikha rahe the ab kya hua...

Mahadaitya - muuuuzhhe ...kshaama karrr do ..maine tuumhari shakti ko ..ahhh ..nahi ..pehchana...chod...do...muzhe..ab ..mein...tumahara sewak hu...muzhe
chod do..

Mein - nahi muzhe kisi sewak ki jarurat nahi..... na jaane kitne hi maasum logo ko tumne maara hoga..
ab tumhe milegi ..toh..sirf ...mrityu

jaise hi maine uska khel samapt karne k liye ...aage bada ..tabhi meri anguthi jor se chamakne lagi.... aur aayi Mahaguru ki aawaj

Mahaguru - nahi putra isse chod do ..yeh toh apna dayyitva pura kar raha tha ...aur yeh koi daytya nahi hai putra yeh ek ek Yakshya hai...

tab muzhe Mahaguru ki doordarshta ka anubhav hua...ki unhe inn sab ghatnaao ka purvagyan tha ...aur aise hi kisi paristhiti k liye unhone yeh Anguthi mere liye chodi thi...

Mahaguru ki baat sunkar maine uss yaksha ko mukt kiya...

tab usne apna bhyankar roop ko tyag kar sunder roop dharan kar liya....

Yakshya -- aapka muzhe mukt karne k liye bahut bahut dhnyawad ab mein aapka sewak hu......mere liye liye kya aagya hai.......itna kahkar woh apne ghutne par haath jodkar baith gaya...

meine usse uhtaya ....nahi mitra...
tum mere sevak nahi mere mitr ki tarah hi raho toh accha.. hai

Yaksha - aap bahut aache ho ...maine aapko marne ka praytna kiya aur aapne muzhe mitr banaya....

mein - accha ab toh muzhe baatao yaha asia kya hai ...jo yaha par aata hai woh wapas jaa nahi paata.
aur tumahara naam kya hai...

Yaksha - mera naam GUNAAK hai aur Yaha Neelkanth parvat k upar se Bhuvalok ki shuruvat hoti hai , jo ek Shukshma lok hai.. jaha Sthool sharir k saath nahi jaaya jaasakta....waha Yaksho ka raaj hai.....aur Yahi se Dhan k swami KUBER JI ki nagri, ALKAAPURI ki shuruwat hoti hai....
yaha manavo ka aana mana hai ...mein iss marg ka rakshak hu...

mein - toh tum yaha aanewalo ka kya karte ho

GUNAK(GK) - humara bhojan tamsik hota hai isiliye hum yaha aanewale manavo k sharir se unka Shukshma sharir ko alag karke unke sharir ka bhojan karte hai ...aur unke sukshma sharir ko apne rajya le jaakar daas banate hai...

mein - hmmm .... Shayad niyati ne muzhe isiliye bheja hai....ek baat aur batao.....Mein yaha Bhim ji ki gada ko dhundte hue aaya hu...kya tum bata sakte ho woh kaha hai

GK - jee aap jiss gada ko dhund rahe ho woh ALKAPURI mein hi Kuber ji ke mahal mein hai....lekin aap waha jaa nahi sakte ...aur mein bhi iss vishya mein aapki koi sahayta nahi kar sakta

mein - uss ki tum chinta mat karo bas tum muzhe waha tak le jaao....

(yaha mein aapko bata du jab Mahaguru ne Abhi ke do roop banaye the ..toh A1 ka nirman Abhi k sukshma shari ki urja se hua tha)

mein ab GK ke saath uss parvat shikhar par pahuch gaya...

GK - Yaha se shuru hoti hai BHUVLOK
aur ALKA PURI ki seema....

mein - lekin muzhe toh yaha par kuch nahi dikh raha hai..

GK - maine pahle hi kaha tha ki in stool aankhon se iss lok ko dekha nahi jaa sakta...

mein abhi vichar kar hi raha tha ki phir meri anguthi chamakne lagi.....
aur usse ek prakash nikalne laga..usne muzhe poora gher liya ab muzhe aisa lagne laga ki mere sharir k saare sthool ang usme samate jaa rahe hai ....aur muzhe asahniya pida ka anubhav hone laga...thodi hi der mein mein sthool sharir k saath hi saara dard bhi lagta hai uss anguthi ne sokh liya tha ....ab muzhe bikul halka lag raha tha jaise ki mera koi vajan hi na ho.....

tab maine apne saamne dekha toh ek bahut sunder divya nagar dikhayi diya



aur phir mein GK k saath uss nagar mein prevesh kar gaya.....jaise jaise mein aage jaane laga uss nagar ki sunderta ko dekhkar chakit ho gaya ..
sara nagar swarn aur herre motiyon se bana hua tha .....kyu na ho kyuki yeh Dhan k Swami KUBER ji ki raajdhani jo tahri.......
GK - mitr mein sadiyon se apne pariwar ko nahi mila hu kya unse mil sakta hu..... aap bhi chalo hamare ghar .....muzhe badi khushi hogi aapki sewa ka mauka paakar.
mein - nahi mitra abhi muzhe bahut kaam karne hai ...abhi tum jaao

GK - Thik hai mitra ...parantu jab tumhe meri aawashyakta ho tab bas ek baar mann mein mera naam lelena
mein ussi samay aajaunga.....aur ek baat...
jis vastu ki aap khoj kar rahe ho woh mahal mein hai.....jo yaha se uttar disha mein sthit hai.....

Aur jaha tak muzhe lagta hai KUBER ji bhi aapse milna chah rahe hai...

mein - tum aise kaise kah sakte ho

GK - kyuki iss nagar mein unki iccha k bina koi pravesh nahi kar sakta aur aap yaha tak pahuch gaye ...issi se aise lagta hai

itna kahkar GK waha se chala gaya
aur mein bhi aage bada thodi hi dur jaakar maine dekha ...ek divya viman
mere saamne utra aur usmein se utre kuch sainik......

aaj k liye itna hi .....
agla update kal......
[/color]
 
[color=rgb(85,] Update - 22

ab tak aapne dehka......A1 ka GK k ssath yudh.....aur usse harana....KUBER JI ki nagri Alkapuri.... mein pravesh ..
ab aage ........
[/color]

[color=rgb(41,]Jaise hi mein aage bada toh dekha ek adbhut divya viman aakash se mere saamne utra.....aashram mein maine guru ji se pushpak viman k baare mein suna tha....yeh bhi waisa hi koi tha....
uss viman se kuch sainik utre aur meri taraf anne lage.....
maine socha ki ab yaha bhi yudh karna hoga......
tabhi ek sainik ne kaha .... yuvak Maharaj ne tumhe bulaya hai....
aayiye ..... aur hamare saath chaliye ..

meine socha chalo accha hi hua ab muzhe dhundna nahi padega...

mein unn sainiko k saath baith gaya aur chal pada aakash marg se mahel ki aur......
jab viman utra toh maine dekha ek bahut vishal mahal jo swarn ka bana hua tha..... jab mein waha gaya.....
toh dekha mahal k darwaje par kuch dasiya pushpo ki thaliya lekar khadi thi.....jaise hi mein dwar par pahuncha toh phoolon ki varsha mere upar..

aise swagat jeewan mein pahli baar hua tha......accha toh bahut laga lekin
vichar bhi aaya yeh sab muzhe itne shradhaa bhav se kyu dekh rahe hai...

khair dekte hai aage kya kuch naya hota hai.....

tabhi waha Rajsi bhesh mein ek yaksh aage aaya .....aayie shriman ...Maharaj aapki pratiksha mein hai...

maine socha Swyam Dhan k Swami Kuber ji aur meri pratiksha mein....

mein unke saath chal pada.....aur pahunch gaya ......ek sabha mein ...
jo bahut hi vishal thi.....ek unche se aur Bade Sinhghasan par kisi ko baithe dekha ....unke chere par ek alag hi prakah tha ....sir par heero se jadit swarn mukut...matthe par bana hua tripund......swarn aabhushan....
aur paas mein badi si gada...

mere saath jo yaksha aaya tha usne
Singhasan ki aur shradhha se pranam karte hue..
Pranam maharaj ...aapne jisse kaha tha usse hum le aaye prabhu..

meine bhi pranam kiya.....
Pranam Maharaj.....Aaj mein dhnya ho gaya ....jinn Dhan k Swami Kuber ji k baare mein aashram mein kathao mein suna tha ....aaj shakshat unke darshan paakar mein kritharth ho gaya...
Tabhi Kuber ji ne sabha mein bauthe hue sabko kuch ishara kiya aur pal bhar mein sab gayab......mein thoda chakit hua ....phir socha ki yeh mayavi nagri hai yaha kuch bhi ho sakta hai

tabhi Kuber ji khade hogaye ......
Kuber ji - Dhnya toh hum hue hai , jo aaj aap iss brahmad k rakshak shakshat yaha padhare hai

mein kai hazaar varsho se aapki hi pratiksha mein tha...

Mein apne charo aur dekhne laga ki Swyam Kuber ji kis k swagat k liye khade ho gaye hai ...lekin waha mere siwa aur koi nahi tha

Kuber ji - Aise kya dekh rahe ho...mein aapko hi kah raha hu...

mein - Parantu mein aur brahmand ka
rakshak.....kaise...mein toh ek sadharan balak hu ...jo apne guru ki aagya ka paalan karte hue yaha aaya hu

Kuber ji - muskurate hue...Abhi aap apne vastavik roop se aparichit hai
isiliye aisa kar rahe hai...

mein - muzhe kuch yaad nahi hai...
[/color]
[color=rgb(41,]kya aap mera parichy jaante ho...

Kuber ji - Yadi ab tak aapko aapka parichaya prapt nahi hua toh issmein tridevo ki hi iccha hai.....aur unki iccha k virudh mein aapko aapke baare mein kuch nahi bata sakta...

ab aap iss baat ko chodiye aur aayie aasan grahan kijiye ......

mein bhi waha ek aasan par baith gaya......

Kuber ji -- muzhe pata hai aap yaha kya prapt karne aaye ho.......woh aapki hi amant hai.........pichli baar jab aap yaha aaye the toh aapne hi woh divya gada humare mahal mein sthit sarover mein rakhi thi ...woh waha surakshit hai

mein - thik hai ..kya aap muzhe waha ...pahuncha sakte ho.....

Kuber ji - Aaj aap yahi vishram kijiye
kal pratha hi hum swayam aapko waha le chalenge......

mein - jaisi aapki iccha.....

phir unhone apne sewako ko bulaya
aur mahal k ek vishesh kaksh mein mera ...rahene ka prabadh karawaye

Sewak - Yeh raha aapka kaskh.....yeh ek maya mahal hai .....yaha aapko jis bhi vastu ki aawashyakta hogi bas. uske baare mein soshte hi aapje saamne haazir hogi

mein - toh kya yadi mein gada k baare mein sochu toh woh bhi yaha pragat hi jaayegi

Sewak - muskurate hue.. nahi

ab mein uss kaksh ko dekne laga, phir mein waha k ek aasan par baith gaya .
aur socha ki dekhte hai yaha ki maya kaisi hai

toh maine socha kuch khane k liye mil jaaye ....tabhi waha ek mere hi umar ka yuvak falo ki thaal liye aagaya...

jo dikhne mein meri tarah hi tha bas ...
naak aur kaan ka farak tha....

tabhi muzhe Manda gaon k mukhiya ji ki baat yaad aagayi...

aur maine usski aankon mein ek ajeeb udasi dekhi......woh yaha yaksho se kuch alag lag raha tha .....toh mein saari baat samaz gaya...

mein - kya baat hai tum itne udaas kyu ho....bhai...tum ..toh yaksha nahi lagte..kaun ho tum..

meri - baat sunke usne udaas nazro se ek baar muzhe dekha ..aur jaane laga......ki maine usse phir pukara

mein - Vishu....ruko...
mere usko pukarne par woh phir ek baar muda.....ab uski aankon mein hairani k bhav the ....lekin woh ruka nahi ...

ab muzhe yaha kuch accha nahi lag raha tha ....toh socha apne naye bane mitr ko hi yaad kar lu....aur mann mein pukara.....tabhi mere saamne GK
pragat hua..

GK - aapne muzhe pukaara mitr kaho kya aagya hai

mein - aagya toh kuch nahi bas mera yaha mann nahi lag raha hai , toh socha tumhe yaad kar lu.

GK - mein abhi apne gharwalo ko aapke baare mein hi bata raha tha..
ki aapne yaad kar liya

mein- Chalo tumahare ghar chalte hai

GK - kya sach mein ...aap chalenge

Mein - haa kyu nahi ..yaha akele iss maya mahal mein muzhe accha nahi lag raha
Phir GK ne mera haath pakda aur palak zhapkte pahunch gaya usske ghar

muzhe achanak waha GK k saath dekhkar sabhi hadbada gaye ...
tab Gk ne apne ghar walo se mera parichay karaya.....uski patni, aur do bacche muzhe dekhkar bahut khush hue
Mein - tum toh kah rahe the k tum hazaroo saalo se se pariwar se nahi mile toh ye bacche...itna kah kar mein muskurane laga...

GK - kya mitr aap bhi....yaha yaksho ki aayu bahut hoti hai abhi toh mera yeh chotta beta 5 hazaar sasl ka hai jo prithvi k 5 varsh k baalak k barabar dikhta hai...

phir aise hi kuch baatein aur bhojan k saath woh raat bit gayi ...subah 4 baje mein wapas maya mahal pahunch gaya.....socha abhi apn lakshya ki aur thoda samay hai toh dhyan kiya jaaye aur baith gaya dhyan karne.....

aaj dhyan mein muzhe kuch naye rang ki urja apne bhiter mahsus hui....

uss urja par apna dhyan kendrit karke dekhe laga toh woh aur gahri ho gayi.
phir woh saari urja mere mastak ke piche VISHSHUDDHI chakra se upar ki aur kendrit ho gayi aur dikhne laga .
do dal wal kamal safed urja se paipurna.....aur dikhne lagi kuch aakriti.....tabhi mera dhyan tuta....aur saamne dekha toh KUBER JI khade the...
au jo meri taraf hi dekh rahe the...
usske baad mein Unke saath ek Sarover par pahuncha jaha bader hi sunder kamal khile hue the

Kuber ji - Yahi woh sarover hai jaha aapki amaanat rakhi hai,
isse aapko hi prapt karna hoga...

aur itna kahkar woh waha se chale gaye....
ab mein sarover ki bada aur jaise hi mein jal mein utra ...toh mere pair wahi ruk jagaye , chahkar bhi mein aage nahi bad paa raha tha....

tabhi waha uss jal mein hulchul hui aur jal ne bade se bhawar ka rup le liya.....aur pragat hua ek balshali divya purush, jo dikhne mein bada hi divya aur shaktishali dikh raha tha, aur aai awaaj..

aawaj - kaun ho tum ...jo yaha tak pahunch gaye......

mein - mera naam Abhi hai aur mein yaja ek gada lene aaya hu...

aawaj - hmmm aap yaha kuber ji k saath aaye ho......parantu aap woh gada tabhi prapt kar sakte ho jab aap mere teen prashna ka utter de doge..

yadi aap ek bhi jawab nahi de paaye toh aap issi sarower mein kaid ho jaaoge...
mein - muzhe sweekar hai pucho kya puchna chate ho

1 - Acche karmo k punyo ke nash ka mool kya hai

Mein - कामेन कर्म नाशं स्यात्। hamari bhogo ko bhogne ki vaasnaye hi , hamare karmo ka nash karti hai

2 - Gyan k naash ka mool kya hai

mein - क्रोधेन ज्ञान नाशनम्। jab bhi hume krodh aata hai toh hum sab bhul jaate hai , aur aisa anchit karya kar baithte hai, jisse aage hume hi pareshaniyo ka saamna karna padta hai, isiliye Krodh hi gyan ka naash karta hai

3 - Bhakti k naash ka mool kya hai

mein - लोभेन भक्ति नाशं स्यात्।
lobh hi bhakti k naash ka mool hai, Lobhi vyaki k liye niswarth bhakti ko koi mol nahi

atti uttam aapne sabhi prashno ka sahi utrar diy hai.....mein aapko pahele hi pahchan chuka tha prarntu
yeh mera kartya tha jo muzhe pura karna hi tha......

itna kahkar ussne ek badi chamki hui gada ka roop le liya aur mere haatho mein aagaya, uss gada ko apne haatho mein paakar muzhe apne andar apaar shakti ka anbhav hone laga.......phir woh gada prakash roop mein badal gayi aur mere bhiter sama gayi....

gada prapt karne par mein chal pada apne dusre udeshya ki aur

aur phir Pahunch gaya Kuber ji ki sabha mein...

Muzhe dekhkar Kuberji bade khush ho gaye

Kuber ji - aakir aapne apni gada ko prapt hi kar liya....ab aapka yaha ka karya pura ho gaya

mein - Abhi kuch karya adhura hai ...
muzhe aapse kuch aur bhi chahiye...

Kuber ji - Kaho Rakshak ...mera vachan hai aapko ..aap ko chahoge aapko woh prapt hoga...

mein - toh phir aap unn sab manushya ko mukt kar do ...jinhe aapne daas bana rakha hai...

Mere aisa kahne par sabha mein hulchul hone lagi

mein - Dekhiye aapne muzhe vachan diya hai...

Kuber ji - Parantu aap unka kya karoge ..unnka sharir toh khatam ho gaya hai

mein - woh sab mein dekh lunga..aap apne vachan ka paalan kare

kuber ji - thik hai parantu unhi ko hum mukt kar sakte hai , jinnka jeewan prithvi par abhi baaki hai....

aap jab hamari seema pa pahunchoge tab sab k sukshma sharir waha pahunch jaayenge..

mein - Thik hai aagya dijiye ab mein chalta hu...

Kuber ji - Jaane se pahle ek baar aap Hamare Alkapuri k Shivalaya mein jarur darshan kijiye..

mein - ji ..jarur
itna kahkar mein mahal k bahar aagaya aur Vichar kiya ki ..jab kuber ji
ne kaha hai toh jarur jana chahiye..

phir meine GK ko yaad kiya aur GK haazir....

Mein - mitr muzhe yaha k Shivalaya jaana hai kya tum muzhe le chalo ge

GK - kyu nahi mitr ...aur ussne mera haath pakda aur pahunch gaye sidha Shiv mandir k aage...

Bada hi sunder Shiv mandir tha adbhut kalakrti ....mandir ki sunderta aur shilpkala ko dekhte dekhte Bhagwan bholenath k Vishal shivling k saamne pahuncha ....woh shivling
swayam prakshit tha ussmein se divya prakash mikal raha tha...mein iss adbhut darshan se bhav vibhore ho gaya tha ...ki tabhi ek bahut hi suril aawaj mein RUDRASTAKAM ki stuti mere kaano mein padi ...

toh meine aawaj ki aur dhyan diya
toh dekha ki ek bahut hi sunder kanya
apni asnkhein band karke tanmayta se gaa rahi thi.....jaane kyu mein usski taraf kheecha chala jaa raha tha......

aur usske aage jaakar niharne laga

jab stuti samapt hui aur usne aapni asnkhien kholi toh muzhe apne saamne dekhkar hairan ho gayi

woh kuch bolna chahti thi lekin bol nahi paa rahi thi ...hum dono bas ek dusre ko dekhe jaa rahe the

mein - mann mein ....na jaane kyu iss dekhkar khicha chala jaa raha hu....
lagta hai jaise mein isse jaanta hu ...
aur mere mann mein yeh kaisi hulchul si mach rahi hai

ladki - mann mein ---- kya mein jo dekh rahi hu woh swapna hai ya satya hai....kitna sunder hai.....kya karu mein ...kaise baat karu....hey Mahadev ...jissko roj mein sapno mein dekti hu ..wahi mere saamne

tabhi GK ki aawaj se hum dono ka dhyan tuta

GK - Arre bete SHIVALI yeh mere swami mere mitra .. Abhi hai

aur mitr Yeh SHIVALI hai jissi mein aaj subah apne pariwar k saath yaha aaya tha tab mila tha
mitr inko yaha badi shradha se dekha jaata hai ...
innka yaha k pujari k yaha hua tha...aur innki aayu yaha k samay ansar nahi balki pritvi k samaay k ansar bad rahi hai..

janm se hi inhe mayavi shakti prapt hui hai...

SHIVALI - Kaka shri kya mein innse ekaanth mein mil sakta hu....

GK ne meri aur dekha ...toh meine bhi ishara kiya jisse woh waha se thodi dur chala gaya..

Mein - haa ji kahiye...

SHIVALI - yaha nahi ...kya aap thodha bahar chaliye....hum mandir k bahar aagaye...

SHIVALI - Aap kya sach mein manushyalok se aaye hai ....

mein -haa

SHIVALI - sharmate hue ...phir baba ne satya kaha tha..

mein - kya kaha tha baba ne...

Ussne apni tirchi nazroo se muzhe dekha...na haane kya tha unn aakon mein aisa toh muzhe Sirf Shalu ki aankon mein dekhkar hota tha...

Shivali - baba se hi puch lo....

tabhi waha pujari ji ko aate dekha ...jab unhone muzhe dekha toh bade khush ho gaye

Pujari - aagye aap ....aapki mein kab se pratiksha kar raha tha.......

mein - meri pratiksha ...kyu

pujari - Shivali ki aur dekhte hue....aapki amaant jo mere paas hai

unki baat sunne k baad Shivali sharmane kagi

kuch kuch meri samaz mein aaraha tha.....aur Shivali ki aankhon mein bhi aapne liye prem dekh liya tha ..
lekin abhi muzhe bahut karya karne the

mein - Pujari ji mein aapki baato ko samaz raha hu ...aur Shivali ki aur dekhkar.... muzhe bhi uss pal ki pratiksha rahegi ...parantu abi muzhe bahut karya karne baaki hai......
aur muzhe jaana hoga.....

meri baat sunkar Shivali ki aanko mein aansoo aagaye...

mein - Shivali se - dekho tumhe dekhkar na jaane muzhe bhi kyu aakarshan hua....aur tumhe chodkar jaane ki baat se mere mann mein bhi dukh ka aubhav ho raha hai

parantu abhi mere kartavya muzhe bula raha hai toh muzhe jaana hoga

lekin mera vachan hai ki mein tumhe lene jarur aaunga....

itna kahkar meine waha se vida li aur GK k ssath pahunch gaya Bhuvalok ki seema oar waha maine dekha lagbhag 12 shukshma sharir jinhe Kuber ji ne mukt kiya tha meri hi peatiksha mein the.

seema se bahar jaate hi meri anguthi se panch rang ki urja nikli aur mera sthool sharir muxhe wapas mil gaya

ab prashna tha ki kaise unn 12 logo ko unke sharir diye jaaye

tabhi mahaguru ki aawaj aayi putra dhyan mein baitho aur apni urja ko aagya chara mein ektrit karo jaise aaj subah kiya tha ...mein samaj gaya aur dhyan karne baith gaya
jab meine apne chakro ka dhyan karte hue Aagya chakra mein pahuncha toh waha se paanch tatva aur jeewan shati ki urja nikalkar sidhe un 12 sukshma sharir par padi aur dekhte hi dekhte unka sthool shari unhe wapas mil gaya

sabhi bahut khush the....mera aabhar vyakt kar rahe the....unhe mein muzhe
vishu bhi mila ....usse dekhkar muzhe badi khushi hui....ki ek maa ko diya hua vachan mein pura kar paaya..

sab ko mvida kiya ........
ab apne agle safar ki chalne ki tayarri
......
abhi k liye itna hi...
agla update jald hi....[/color]
 
[color=rgb(85,] Update - 24

ab tak aapne dekha.......
abhi ka outing k liye programme banna....
mall mein shopping...
aur cafe ka karnama.....
ab aage.......
[/color]

[color=rgb(85,]cafe mein sabhi bahut darre hue the
Rimpy aur di mere tarf dekh rahi thi
aur addu bhi dari hui thi...

Addu - bhai chalo yaha se muzhe bahut dar lag raha hai.....

di - Betu muzhe tuse kuch...

tabhi meine di ko rokte hue....
Di jo bhi baatein hai woh baad mein pahle yaha se chalo...addu dar rahi hai...
jaise hi hum log waha se nikalne lage
toh waha DSP sahab k saath police team aagayi thi

Dsp - Hame dekhkar humari taraf aate hue.... Beta Rimpy HM sir ka ph aaya tha kya hua yaha par..

maine Rimpy ko ishara kiya aur woh samaj gayi .....
uncle hum yaha baithe hue the tab achanak yaha ladayi hui isiliye meine papa ko ph kiya tabhi Dsp sahab dhyan waha hue kand par gaya...

aur woh uss aur chal pade.....
aur hum bhi nikal liye waha se...

Ghar pahuch kar apne room mein gaye Addu mere saath hi thi aur dari hui thi toh maine apni sammohanshakti k dwara usski woh bhayanak yaadien mita di jisse woh aaram se so gayi , phir mein fresh hone chala gaya ....aur sochne laga di ko kya jawab dunga kyu ki di ki yaadein bhi mein nahi bhula sakta

jab cafe mein maine di ko shant karne k liye unke brain mein jhaank kar dekha toh muzhe di k ander bahut adhik maatra mein pink colour ki urja mehsus hui thi jisse mein jyada der unke mastishk ko control nahi ka paaya tha..... mein samazne ki koshish karne laga toh muzhe kuch samaz mein nahi aaya...toh socha dad se hi puch lunga jawab mil jaayega.

jab mein bathroom se bahar aaya toh di bed par baithe addu k sir par haath pher rahi thi..

mein - di aap ....

di ---- shhhhh chup rahne ka ishara karte hue aone room mein aane ka ishara kiya ..

mein bhi pahuch gaya di k room mein

Di ne mera haath pakadkar apne sir par rakha ....dekh Betu tuzhe meri kasam hai ....sach sach bata tune waha kya kiya tha...

mein apna haath hatate hue ....kya didu kya apne betu par vishwas nahi hai......yeh kasam dene ki kya jarurat hai ......di iss sansar mein aap mere liye ek maa ek frnd ek behan sab kuch ho ....

di - muzhe pata hai betu....aur agar iss sansaar agar kisi par muzhe vishwas hai toh woh tu hai....

mein - aap jannana chahti hai toh
bas itna abhi jaan lo di ki muzh mein kuch special powers hai di bas ussi ka kuch istemal kiya tha

Di - Ek din mein kitne shock dega betu
pahele woh .....babu ..shona....phir ab yeh superpowers .....hey Ram ...betu tu toh Super Hero ban gaya ab....

Mein - Di aisa kuch nahi hai woh toh bas aise hi pata nahi.....

accha di ab aap thodi rest kar lo mein thoda ghum kar aata hu

meine ghar se bahar aakar dad ko ph lagaya...
dad muzhe aapse kuch baat karni gai

Dad - Beta pahle toh congratulatios ..
tumhe apni powers ka use karna shuru kiya ...well done .....

mein - papa aapko kaise pata...sab

dad - Barkhurdar tum bhul rahe ho hum kaun hai ....humari nazar pure desh mein hoti hai toh kya apni family par nahi hogi...

tum abhi yaha basement mein pahuch jaao baaki baatien yahi par karenge

Dad k saath baat hote hi mein basement pahucha waha dad control room mein the ...

muzhe dekhte hi Dad - aao Abhi mere cabin mein chalkar baat karte hai...

phir hum control room k ek side mein bane dad k cabin mein gaye

Dad - haa bolo beta kya baat karni hai

mein - Dad muzhe didu k baare mein jannana hai ....ky unmein bhi.....

Dad - beta jo tum samaz rahe wahi sach hai ..lekin poori baat jannane ka samay nahi aaya hai..

Accha beta yeh jo tumne outing ka programme banaya hai ....kaha jaa rahe ho.....

mein -kya dad aapko yeh bhi pata hai...kuch toh privacy rahkho

dad - accha bete ab tumhe privacy chahiye ....lagta hai ab bade ho rahe ho
accha yeh toh bata do kaha jaa rahe ho
mein - bus dad city k bahar jo forest hai wahi jaa rahe hai.....waha kuch purane khander hai unhe dekhenge

aur wahi paas mein jo pahadi hai waha tracking waigere......

lekin lagta hai plan cancel karna padega..

dad - kyu

mein - dad woh Addu bhi jane ki jidd kar rahi hai ..abhi chotti hai usse kaise le jaau

dad - toh le jaao woh bhi khush ho jaayegi.aur ..haa Ritu ko bhi apne saath le jaana...

mein - lekin dad waha khatra bhi ho sakta hai....

dad - beta humara vansh Shoorveero ka hai , hume aise khatro k baare mein nahi sochan chahiye ....
aur mein hu hi tum chinta mat karo

abhi chalo training hall ek ek haath ho jaaye talwar baaji ki...
aur hum chal diya niche banne hue training hall.....aur dad k saath meri talwar baaji ... dad k special 5 agents wahi the aur humara khel dekh rahe the ....dono mein se koi kam nahi tha

tabhi dad mere piche dekhkar .....arre
tum yaha mein jaise hi mudkar dekhne laga bas usse samay meri talwar dad k war se niche aur talwar meri garden par..

mein - dad aapne cheating ki hai

Dad - beta yudh mein satarkta aur dhyan bahut jaruri hai ...
sawdhani haati durghatna ghati.

phir hum ghar aagye ...gahr jaakar maine Didi aur addu ko bhi Outing par chalne k liye kaha ..toh dono bahut khush ho gaye.....maine saath jaane wale sabhi friends ko call karke bata diya ki sab subah 6 baje yaha pahunch jaaye ....hum yahi se chalenge...

Subah k intejar mein raat beeti saari packing ho gayi thi ....hum koi 24 bacche the , aur 1 bus driver aur uska helper...

aur dusri gadi mein waha lagane k liye tents kuch khane pine ka saaman aur 2 cook

iss tarah hum kul 30 log the
mein , Ritu di, Addu, Bhanu , sameer
Rimpy aur uski do frnds sweety aur Divya, aur baaki kuch hamare school k frnds...

Humara safar chal pada apni manzil ki aur....
Kuch gadiya aur bhi nikli bus se duri banakar rakhe hue......
Didu ki wajah se mein Rimpy k paas bahi baitha tha , bas hum dono chup chup kar ek dusre ko dekh lete hai..
antakshari k gaane gaate gaate hasee khushi se hum pahunch gaye

forest k paas hi ek talab k pass city se bahar prakriti k nikat waha k hare bhare ped , pahad , talab ka nirmal jal
aur taazi hawa ..sab bahut khush the

humne wahi talab k paas apne tent lagayi ...abhi subah k 9 baj rahe the

addu toh itna khush thi k charo tarf dekhti jaati aur har chij k baare mein puchti thi ...Rimpy mere saath kuch samay bitana chahti leki Addu picha chode tab na...

Tabhi Ritu di aayi ....arre addu sirf bhai hi pyara hai humare saath bhi khelo dekho waha paas mein sab jharne par jaa rahe hai.....waterfall ki sunkar addu bhi di k saath cahl di

Di - arre betu chal na ...kya soch raha hai

Mein - nahi di aap ho aao muzhe yaha ka kaam bhi dekhna hai abhi abhi sab k kaun kis tent mein rahe ga yeh bhi dekhna hai...

Rimpy - haa di mein bhi yahi Abhi ki madat k liye ruk jaati hu sab chale dono gadiyon k driver aur helper gaadi mein aaram kar rahe the aur cook apni tayari mei mein Rimpy k saath talab k kinare jaakar baith gaya...

Rimpy - kal toh tum ne marwa hi diya tha...bata nahi sakte the call speakr par hai

mein - di ne ekdum se mob chin liya mein kya karta

Rimpy - tumbhi na ..ab pata nahi di mere baare mein kya soch rahi hogi

mein - kuch nahi soch rahi ..di maine unko samzha diya

Rimpy - aur woh kal kya kiya tha tumne un badmaasho k saath

mein - arre kuch nahi bas hypnotism sikh raha hu wahi kiya tha ...tum in sab baato ko chodo ..
ek baar phir se babu bolo na

Rimpy - accha ji mera babu ko kya sunnana hai

aise hi hamari baatein chal ti rahi ..
water fall se jab sab log aaygye toh humne khub enjoy kiya ...thodi tracking bhi ki ..aise hi din bit gaya ..

aur raat ka andhera charo taraf phaile laga....sabhi aaj thak gaye the isiliye sab apne apne tent mein so gaye....

bahar allav jal raha tha aur mein , di , Rimpy , sweety aur divya baithe aag sek rahe the aur addu di ki goad mein so gayi thi ...
di Accha betu ab bahut der ho gayi hai so jaate hai

mein thik hai di Aap aur Rimpy ek tent mein ho jaao , sweety aur divya ek tent mein mein addu ko lekar apne tent jaa raha hu.....

phir sab apne apne tent mein pahuch gaye......
muzhe bhi nind aarahi thi toh mein bhi soo gaya ....achanak meri nind khul gayi...maune addu ki taraf dekha toh so rahi thi kitni maasoom lag rahi thi

phir maine socha thoda bahar ki hawa kha lu....aur bahar aagaya ...

tabhi jis tent mein Sweety aur Divya so rahe the uss ke piche muzhe kuch sarsarhat ki aawaj aane lagi.....toh maine jaakar unke tent mein dekha
toh........

aaj k liye utna hi ....
agla update kal....
[/color]
 
[color=rgb(184,] Update - 25

abhi tak aapne dekha....
Abhi & frnds ka outing k liye jaana.....
mauj masti k saath din ki ...samapti....aur Abhi ko kuch aawaj aana......aur Sweety aur Divya k tent mein dekhna...

ab aage.....
[/color]

[color=rgb(184,]maine unke tent mein dekha toh dono waha nahi thi.....aur unka tent bhi piche se fata hua tha.....

muzhe kisi bahut bade khatre ka andesha hone laga ....tabhi .....
piche zhadiyon mein se kuch aawaj aayi mein turant waha jaakar dekhne laga toh kuch dikhayi nahi de raha tha.
wapas unke tent mein aaya toh ek jagah kuch khoon k nishan dekhkar ,
dil aur ghabrane laga.....

tabhi khyal aaya ki Addu bhi tent mein akeli hai........mein daudkar waha gaya toh , usse aaram se sota hua dekhkar
meri jan mein jaan aayi.....

mein ab soch mein pad gaya kya karu
agar unko dhundne jaata hu toh yaha kuch aur gadbad na ho jaaye ..aur yadi na jaau toh apni hi nazaro mein gir jaaunga......tabhi muzhe dad ka khayal aaya ....toh meine unko call karne ki sochi.......jab cell mein dekha toh ....network nahi aaraha tha...

phir maine kuch socha......aur sab tent mein jaskar sab ko jagaaya ,
jab sab log ek jagah ikkatha hua....
sab soch rahe the ...aisi kya baat hui hai ...meine unko itni raat ko jagaya

sab meri tarf hi dekh rahe the....

di - kya baat hai betu tune hum sabko itni raat ko ekattha kiya hua hai....
aur itna pareshan kyu lag raha hai....

mein - sabhi pahle shaant ...ho jaao
aur dyan se meri baat suno....

tab maine unko saari baat batayi..

jisse sukar sab pareshan ho rahe the

Rimpy - Abhi ....kaise bhi kar ke hume unhe dhundna hoga ...mein unke parents ko kya jawab dungi.....
pata nahi kya hua hoga mera dil bahu ghabra raha hai...

mein - aise ghabrane se kuch nahi hoga......hume dhyarya se kaam lena hoga...

di - Abhi ...Addu kahi dikh nahi rahi hai ...kaha hai woh

mein - di abhi woh tent mein so rahi hai....
[/color]
di - Betu ab yaha tent mein safe nahi hai ...tum yahi ruko mein addu ko lekar aati hu ....
di saath 4 sameer aur bhanu bhi chal diye....
tabhi waha kuch 20 commandos ki team aayi ...aur .....
mein soch hi raha tha ..ki ab yeh kaun hai........tabhi unka chief bol pada..

Chief - Sir hum aapki hi security k liye hai ... R.V.S sir ne hi appoint kiya hai

Tab tak di bhi addu ko lekar aagayi

chief -hum dur se hi aap sab par najar banaye rakhte hai......

hume waha jungle mein kuch hulchul mehsus hui
[color=rgb(184,]aur kuch awaaje aayi

....usski ka pata karne jaa hi rahe the ki tabhi hume unn 4 commandos ka signal mila jo aapke shivir k piche ki securtiy dekh rahe the

jab hum waha ...pahunche toh... waha unki laashe padi hui thi ....[/color]


humne aapko alert karne k liye call lagaya toh dekha sab k mob k network hi band hai......yaha tak ki satellite ph bhi band pad gaye hai......

maine unhe yaha jo hua bataya.....
to chief ne kaha

chief - aaplogo ka yaha rahna abhi thik nahi hai.....aap log abhi yaha se jaao aap ke saath 10 commandos jaayenge ...hum yaha dekh lenge

sab aapas mein baat kane lage

sameer - Nahi sir hum sab aaye hai toh saath jab tak hamare dono frnds ka pata nahi lagta hum yahi rahenge

chief ne samzhane ki koshish ki lekin koi sunnane ko tayyar nahi tha

tab tay hua ki 10 com yaha rahenge

mein - Sir mein bhi aapke saath chalunga...yeh sab meri hi jimmedari par aaye hai

chief ne bahut mana kiya ...

mein - aap shayad bhul gaye hai k mein kiska beta hu ...aise darkar dubakna mein nahi kar sakta....

sameer - mein bhi chalunga saath mein.
mein - nahi Sameer tumahara yaha rahna jyada jaruri hai...

di - lekin betu tu.......

mein di ko rok te hue ...di bharosa rakho muzh par ..kuch nahi hoga

phir chal pada mein 10 comm ki team k saath ghane jungle k ander ,

abhi hum koi 1 km ander aagaye the
lekin kahi kuch aisa dikh nahi raha tha ki kuch surag haath lage........

aise hi chalte chalte hum ghane jungle k aur ander purane mahal k khandhar tak pahunch gaye .....hum abhi badne hi wale the ki muzhe waha kuch khatra mehsus hua....

hum wahi ruk gaye chief ne 2 comm do bheja ....aur unhe sirf waha ki jaankari laane ki hidayat di...

hum intezar kar rahe the .....tabhi woh dono aagaye
chief - kaho kya kuch hai waha

comm - Sir uss khandhar k nicche ek tahkhana hai humne waha kuch roshni dekhi ..aur tahkhane k ander jaane ka raasta iss khander k back side se hai hum waha kuch logo ko ander jaate hue dekha hai....

Chief - accha yeh pata chala kitne log hai waha.
com - nahi sir . yeh toh pata nahi chal paaya...hum phir chal pade uss tahkhanne ki aur.....chief ne muzhe ek pistol di saftey k liye

tahkhanne k enterance tak pahunche hi the ki kuch 10 log ander se bahar aate hue dik
[color=rgb(184,]he..

hum wahi andhere mein chup gaye

unn logo k haato mein kuch tha...
woh log wahi bahar baith gaye ..aur kuch khanne lage ...jjab humne dhyan se dekha toh wah ek mara hua hiran tha aur woh log usse noch noch kar kha rahe the....

hum sab hairan the ki koi insan kaise iss tarah kga sakta hai ....tabi unmein se koi..

arre yr ab inn jaanwaro ko khaane mein maza nahi aaraha hai......
ander itni saari ladkiya hai ...ek ko agar hum kha lenge toh kitna maza aayega....
naram naram maas aur garam garam khoon maza aajaega

dusra - abe soch samaz k baat kar ...
tu jaanta hai na yeh sab kiski amanat hai.....phir
haa jaanta hu lekin jin do ko abhi hum laaye hai unmein se ek ko toh chot lagi hai ... isiliye ab kaam ki nahi rahi

usse toh kha sakte hai....

unki baate sunkar muzhe ek baat toh pata chal gyi k yeh insaan toh ho nahi sakte .....jo kisi insaan ko jinda khane ki soch rahe hai....
ab humne jyada der na karte hue andhere mein unko gher liya aur phir fire.......aur isse pahele woh kuch samazte gunji goliyon ki aawaj aur unki ceekhe...

humne socha ki ki saare maare gaye .
aur hum aage bade hi the k uss khandhar k chaaro taraf se badi bhayankar guraahat k saath aaye kuch saaye humne apne aapko jab charo taraf se ghire hue paaya.......

unmein se kuch aage aaye toh waha jalti hui mashalo ki roshni mein unko dekha toh hume aapni aankho par vishwas nahi hua......yeh sab aadhe bhediye aur aadhe insaan( warewolf)

hume samaz mein nahi aaya ki kya kare tabhi ...dhyan aaya ki janwar aag se darte hai......

toh maine ek jump laagyi aur mashal haath mein le li, muzhe dekhkar comm bhi mashal lene aage bade ki tabhi 2 wf ne 2 comm par humla kar diya aur khatam.......

tabhi chief ne fire ka order diya
banduke chikhi lekin yeh kya , innper goliyon ka koi asar na hote hue dekhkar badi hairani hui hume ab apni maut saamne dikhne lagi.....

humne apne haath mein mashal lekar ghera banaya aur aap k jarye aapne aapko bachane k koshish karne lage

aachanak unohone hum par humla kardiya.....lekin woh hum tak pahunch paate tab unke aur humare bich aaye 6 nakab posh jinke haato chamkti hui talwar ne unhe rok diya tha aur kuch bhediye shaitan ko pyare....

mein unhe pachan gaya ...yeh dad aur unke agents....the...

tabhi ek bhediya jo shayad unnka head tha gurraya

grrrh hmmm kaun ho tum kyu hamare bich mein pad rahe ho.....

dad - Main hu SANGHARAK tum sab ki maut ....phir shuru hui maar kaat

dad ne ek talwar mere taraf badayi aur ab mein bhi unnbhediyo kaa saamna karne laga,.......bhediye katte jaa rahe the phir bhi khayam nahi ho rahe the..

dad ki speed dekhkar mein hairan tha

mere saath aaye sbahi comm ne bahut mukabla kiya lekin woh unn bhediyo ka saamna na ka paaye...

jaise jaise mein ladta jaa raha tha meri speed badti hi jaa rahi thi mein bhi baat se hairan tha....

bhediye the ki khattam hone ka naam hi nahi le rahe the......

bhediya - ha hah ..ha kitno ko maaroge tum log aise ladte ladte thak jaaoge toh....phir toh tum sabki maut

tabhi waha ek pink colour ki shield se woh jagah cover ho gayi jisse bhediyo ki sankhya badni baan ho gayi.....aur sabhi bhediye k kate sgarir jamin par

tabhi uper se woh shield haati aur jo ussmein jo saamne aaya usko dekh kar toh mein shock ho gaya

mein - arre mom ...ap yaha...kaise aur ..yeh sab....kya....dad

Dad - bata abhi samay nahi hai inn baato ka ...jaao niche jaskar sabhi ladkiyo ko le aao......

abhi mein ander jaane hi laga tha ki jor se hawa chalne lagi.....aur dehkte hi dekhte....sabhi mare hue bhediye mein se black smoke sa nikal aur ek jagah ikkhatha ho gaya aur roop liya ek mahabhyabkar bhediya manv ka
jo karib 30 ft uncha tha

aur gunji hasee-- ha..ha..ha....tuch
manav tum karoge humara mukabla

toh aao apne marne ka shauk pura karo.....
mom ne kuch haath aage karke karne ki koshish ki tabhi uss bhediye ne black energy se humla kiya aur mom du jaakar gir gayi ....aur behosh ho gayi

mein .....mom .....Darinde ab toh tu gaya ...aur talwar lekar pahuch gaya uske saamne.....
dad - aise nahi hum sabhi ko humla karna hoga.....aur hum sab ek saath
badhe ....tabhi usske haath mein mudgar pragat hua aur usne ek hi waar mein hum sabko dharashayi kar diya .....humari haalat bahut buri thi
ab apne upar gussa aaraha tha k mein apne mom dad k liye kuch nahi kar paa raha hu.......

Tabhi waha ek laal roshni ka ghera
pragat hua aur uss mein se nikla ek saaya....

Bhediya - ab tum kaun ho ..jo maut lene aaye ho
tabh ek bhayankar aawaj gunji.......

MAHAKAAL KA ANSH HU MAIN
SHAITAN DHYAN SE DEKH MUZHKO
MAUT HU MEIN.....

abhi k liye itna hi....
agla update jald hi..... [/color]
 
[color=rgb(85,] Update - 27[/color]
[color=rgb(85,]
ab tak aapne dekha ki kaise Rakesh ne kaal ka roop dharkar ...sabki ki raksha ki ....
sabhi ladkiyo ko bachaya gaya
kuch patal lok ki baatein
ab aage ....


Durmukhasur ke kahne par yaha dharti par asur failne lage...
mohasur....lobhasur aur kaamasur manav man ko badlkar usme paap karne ki bhavnao ko badane lage

woh unhi ko apne mohra bannte jo naashe ka aadi ho ya swabhav se kuch durgun inke ander ho

aur mayasur adhunik vigyan mein bhi danavo ki pakad majboot karne mein laga hua tha usne DK

REASEARCH I
[color=rgb(41,]NSTITUDE[/color][/color]
[color=rgb(85,][color=rgb(41,]k naam se ek company shuru ki jaha kai tarh k experiments kiye jaa rahe the jisse manavo ko vinashkari asur mein parivartit kiya jaaye....[/color][/color]
[color=rgb(85,]
aur usne dusri tarag hacking k liye
alag alag deshi mein kul 12 computer institute banaye ...jaha se hacking k jariye anek aapradho ko kiya jaa raha tha....

ek din Abhi aur R.V.S ghar k niche bane hue basement mein screens dekh rahe the...
ki waha k ek operator....ne kaha

operator - sir hamare system ko koi hack karne ki koshish kar raha hai.

dad - toh abhi kya situation hai...

operator - sir humara system world ka best system mein se hai jisse hack karna possible nahi....
humne pata kiya hacker k baare toh pata nahi kar paa rahe hai sir..

yahi chinta ki baat hai humare paas best hackers hai woh bhi pata nahi laga paa rahe hai....aap yeh dekhiye sir

tabhi usne ek news channel se connect kiya
news reporter - aaj kaal desh mein yeh kya ho raha hai....
kya humara paisa ab banko mein bhi surakshit nahi.....
ho raha hai logo k account se paise gayab........
kai banko aur govt. office ka ho gaya hai data chori ....

mein - dad yeh sab kaun log hai..
aap kuch karte kyu nahi ho...

dad - beta mein unko track karne ki bahut koshish kar raha hu lekin nahi kar paa raha hu....

jaane kaunsi shakti hai jo muzhe rok rahi hai ....mein bhi issi baat ko lekar pareshan hu...

tabhi Dad ko call aata hai hai

Dad - accha...haa ..kya ....mein abhi aata hu ...
mein - kya hua dad..

Dad - kissi ne RAW ka server hack kar liya hai hume waha jaldi jaana chahiye
phir dad ne apni best hacking expert Juli ko lekr jaane wale the tabhi mein

dad mein bhi chalunga saath ho sakta hai mein kuch madat karu

Bete woh RAW ka head office hai abhi waha har koi nahi jaa sakta ..phir bhi yadi tumahari jarurat hui toh mein chief se kah kar tumhe bula lunga

phir dad ne aankhein band ki aur aagya apne mask wale roop mein aur juli ko lekar chal diye

tabhi mera ph baj utha ...dekha toh Rimpy ki call thi........meine call pick ki ...

Rimpy - hii mera babu shona kya kar rahe ho ...

mein - kuch nahi rimpy vas computer par kuch kaam kar raha hu

tum batao meri sweetu kaisi ho
aajkaal toh tum call bhi nahi karti

Rimpy - zhoot ...busy toh tum rahete ho ....humesha mein hi tumhe call karti hu..

accha chodo pahle yeh batao kyu pareshan ho ...kya hua

mein - nahi sweetu mein kaha pareshan hu ...kuch nahi hua hai

Rimpy - dekho zhoot mat bolo...muzhe pata chal jaata hai batao na tumhe meri kasam

mein - kya yr Rimpy tum bhi ..kasam dene ki kya jarurat thi...thik hai toh suno .....yaha kisi ka computer hack ho raha hai saara daata transfer ho raha hai kisi server par ...woh data bahut imp hai ......ussme bahut si jindagiya daw par lagi hai.....

kya karu kuch samaz nahi aaraha hai

Rimpy - aisa kiska computer hai jiske hack hone se itni prob ho jaayegi

aur tum bhi toh aajkal computer programming sikh rahe ho kya tum nahi rok sakte iss hacking ko...

tabhi dad ki call aayi..

mein - Rimpy tumahare paas iska koi solution ho toh batana abhi mein koshish karke dekhta hu ....

mein - haa ..hello... dad

dad beta yaha sarra data kisi anjan servr par transfer ho raha hai

abhi sirf 15 min hai humare paas
kta tum kuch kar sakte ho

Dad mein try kar sakta hu i will try my best..
lekin mein waha kaise itne jaldi aau

tabhi dad mere saamne aaye aur muzhe lekar teleport ho gaye ...
waha sabhi poori koshish kar rahe the.

mein bhi baith gaya aur key board par kuch karne laga.....kaafi try karne k baad badi mushkil se thodi der rok paaya ...tabhi muzhe Rimpy ka call aaya.....

Rimpy - babu iss samay tum city library k base ment mein kya kar rahe ho ..

mein - tumhe kaise pata chal ..

Rimpy - tumhare ph se ...woh chodo hacking ruki

mein -
koshish kar raha hu

Rimpy - kya iss samay tumne woh watch pehni hai jo maine gift ki thi

mein - haa kyu

Rimpy - woh watch k saath saath ek gadget bhi hai usske upper ek daimond jaisa button hai usse push karo usse waha usb point open hoga usko waha connect karo ...bas fir mein dekhti hu ...

maine waise hi kiya thodi hi der mein sab computer band pad gsye ..

.abhi mein soch hi raha hai yeh kya ho gaya tabhi saare pc on ho gaye aur screen par aaya Data retriving.....

tabhi hall mein taliya bajne lagi

wah se nikal kar dad k saath ghar wapas aagaya ...aur Rimpy ko call kiya...

mein - thanks my sweetu ...magar yeh tumne kaise kiya ..aur yeh gadgets

Rimpy - aise meine bahut se gadgets banaye ..tumne watch waha connect ki toh mera system waha se connect ho gaya......aur maine....apne ghar baithe baithe apne pc par se sab kiya ....
waise tum RAW k hq mein kya kar rahe the

mein - tumhe kasie pata....

Rimpy - arre buddhu jab mera pc waha se connect ho gaya toh muzhe pata nahi chalega kya ..

mein - you are too jenious my swwetu

innhe yahi chodte hai aur dekhte hai A1 kya kar raha hai

Bhuvalok mein yaksho se apni gada prapt karke GK ko lekar mein pahuch
gaya mein China tibbet mein satluj nadi k kinare se thodi dur rakshas taal

GK - mitra mein bas yahi tak aapke saath hu aage bhagwan bholenath ka kshetra shuru hota hai

mein - thik hai mitr ab tum jaao jab bhi muzhe jarurat hogi mein tumhe bula lunga..

GK muzhse vida lekar chal gaya ...

waha meinne chaaro taraf deka bada sunder drishya tha Madhya mein mansarover zhil uske pashchim disha mein rakshash taal jaha mein iss samay khada tha aur uttar disha mein param paawan Bhagwan bholenath ka niwassthan Kailash Parvat...

rakshas taal se thodi dur behne wali satlauj nadi mein snan kiya phir vichar kiya Ki bholenath k kshetra mein bina unke aashirwad se kaise karya safal hoga toh maine wahi nadi ki mitti se parthiv shivling banaya aur jal se rudraabhishek kya aur Bholenth se apne karya ki sidfhi k liye aashirwad maanga......aur chal pada manjil ki aur

rakshas taal se chalte chalte pahunch gaya mein mansarover

abhi sandhya ka samay ho raha tha
yaha tak toh badi aasani se pahuch gaya tha .....aashram mein hume sikhaya gaye tha ki suryaastha k baad jal k kisi srot ko cheda nahi jaata ...

toh ab subah hi kuch ka sakta tha

toh mainr socha ki thoda dhyan hi kiya jaaye...

mein dhyan mein baith gaya...
aaj badi jaldi mein aagya chakra tak pahuch gaya tha ...wha muzhe aasim urja ka ashsas hone laga uss dhyan mein muzhe alag alag divya aakritiya dikhne lagi ..aise hi badi der tak dhyan karta rah ...jab mera dhyan khula toh

dekga madhya raatri ho gayi thi ab iss sunsaan sarover k kinare thandi thandi hawaye bah rahi thi .....muzhe bhuk aur nind ka abhas bhi ho raha tha ...
apni shaktiyo k dwara mein iiski vyasta bhi kar sakta tha lekin uss kshetra mein apni shaktiyon ka prayog nahi karna chahta tha

tabi meine dekha ek naga sanyasi badibadi jataye jinke sir par thi aur pure sharir par bhasm ....

sanyasi - aare beta yah thand mein aise akele ...lagta hai tumhe bhook bhi lagi hai ...lo yeh fal lo kga lo

unhone apne kamandal se se kuch fal nikal kar meri aur badaye ...
aur meine unse fal le liye aur khane laga tabhi muzhe apne piche kuch aawaj aai maine mudkar dekha toh koi nahi ths....aur aage dekha tih woh naga baba - bhi gayab

mein samaz gaya ho na ho yeh saakshat bolenath hi the......
maine unhe man hi man pranam kiya

aur vichar karne laga ki tabhi meri anguthi chamakne lagi

aur aai Mahaguru ki aawaj
putra kal Diwali ka shubh muhurt hai

subah 4 baje sabhi tridev aur sabhi devta yaha snan karne aate hai...

sabse phale tridev snan karte hai usdke baad devta ...dhyan rahe jab tridev k snan k baad devta snsn kar rahe ho wohi samay hai tumhe tumahare lakshya ko paane ka ...

aur aawaj band ho gayi.....

subah 4 baje maine dekha k 3 prakash punj aakar uss saraver mein sama gayi ...aur woh sarover adbhut urja se chamkne laga....

aaj k liye itna hi ..

[/color]
[color=rgb(85,]agla update kal..[/color]
 
[color=rgb(40,] Update - 28[/color]
[color=rgb(40,]
ab tak aapne dekha A1 masarover pahunch gaya hai hai......subah 4 baje 3 prakash punj uss jhil mein pravesh kar gaye.......ab aage..

Unn 3 parash punj ke jhil mein pravesh karte hi woh jhil ek dum chamak lagi .....bada hi divya drishya tha .....woh jhil 3 prakar k prakash se prakashit ho rahi thi......waha se nikalti urja ki kirne muzh tak bhi pahunch rahi thi ...jaise hi woh kirne muzh tak pahunchti ....toh muzhe aisa lagta tha jaise koi sneh se mere sir par haath pher raha ho....

tabhi woh teeno prakash punj uss jhil se nikle ...thodi der aakash mein sthit hue......muzhe aisa lag raha tha jaise woh muzhe hi dekh rahe hai

phir woh teeno prakash punj aakash mein villin ho gaye.....

abhi mein jhil k shant jal ko dekh raha hi tha aur soch raha tha ki aage kya karna hai......tabhi maine anek prakar ki urja ko waha mrhsus kiya...

lekin muzhe dikh kuch nahi raha tha

tabhi muzhe guru ji ki baat yaad aati hai......jo hame inn chamde ki aankhon se nahi dikh paata woh gyan chakshu se dikh jaata hai...

tabhi maine aapni urja ko aagya chakra par kendrit kar diya .....ab muzhe woh chakra spashta roop se dikhne laga tha......do dal wale kamal k saman.....jisske bhiter anant urja ka ek bindu......iss chakra mein paach tatvo ki ektrit urja hoti hai.....aur devta hai panch Mukhi SAMB SADASHIV
jo parabrahm ja hi sagun roop hai

itni urja k jaagrit hone baad maine aur sarover ki aur dhyan diya toh dekh alag alag jagah se prakash punj uss jhil mein prevesh kar rahe the....

tabhi maine bhi jhil mein pravesh karne ka socha aur chal diya jhil ki aur...
jaise hi maine apna pair jil k paani mein dala toh waise hi tez zhatka muzhe laga aur mein piche ki aur gira

Bhuva lok mein toh mera saama yaksho k saatjh hua tha jo taamsik shakti ka prayog karte hai...

parantu yaha toh har taraf satvik urja hai jisska mein saamna kaise karu
samaz nahi aaraha tha.....

maine 2 ---3 baar koshish ki lekin sab vyarth raha uss jhil mein main pravesh hi nahi kar paa raha tha.....abhi samay bhi kam tha suraj nikalne se pahele muzhe apna kaam karna tha....

tabhi mere mann k bhiter se aawaj aai ....arre bhai kab tak murkho ki tarah girte padte rahega.....aawaj spastha aai ....mein idhar udhar dekhne laga

phir se aawaj aayi ....arre idhar udhar kya dekh raha hai.....mein tumahara hi ek hissa manomaya kosh hu.....
dhyan se suno devtao se devta hi bankar mil sakte ho .....iss baat ko dhyan mein rakho...

mein - accha toh phir devta kaise banu ...

tumahare aagya chakra se upar Bramarandhra hai waha apni urja ko ekatrit karo....

abhi bahut kam samay bacha tha ...

maine phir aapni samasth urja ko waha le jaane ka pratna karane laga
parantu asafal raha.....

mein haash hogaya tha ek gudev ko kya kahunga....

tabhi muzhe dhyan aaya .....guru bina gyan nahi ....ab toh woh hi iss sankat se muzhe ubaar sakte hai....

maine man hi man gurudev ko pukara
tabhi mere mann mein aawaj gunji

putra tum jinse milna chahte ho unki aagya liye bina aur sahayta k bina kaise unn se milna sambhav

swasti vaachan se unhe prasanna karo aur prarthna karo....

tabhi meine ...swasthi vaachan ka paath shuru kiya

SWASTHI NA INDRO BRIDHASHRAVA
SWASTI NAHA PUSHA........

phir maine prarthana ki ---
Hey Indra dev mein Apne guruvar ki aagya se yaha aaya hu kripya meri sahyata kijiye ....tabhi sarover k aur se ek safed urja muzh par padi aur mein mera dhyan Brahamarandhra mein pahuch gaya aur mera sharir prakashwan ho gaya ab mein aaram se jal mein utar gaya...

jaise hi mein jhil k jal mein utra toh waha ek bahut bada devtao ka samuh
mere saamne tha....jinnka sahri bhaut hi divya tha sabke hi sharir se alag alag tarah ki urja nikal rahi thi

unn sab k aage jo the woh bada sa mukut aur safed prakash se jagmaga rahe the...
meine unhe pranam kiya ...

Pranam Indra dev muzhe darshan dene k liye bahut bahut dhnyawad

Idra dev - yashashvi bhava....putra
tum jiss vastu ki khoj mein yaha aaye ho woh tumahari hi hai ......uss mein hum sabhi devtao ki urja samahit hai

isisliye pahle tumhe praman dena hoga ki tum ab uss Talwar ko dharan karne yogya ho gaye ho......

mein - Hey dev aap yeh bhi bata dijiye kis prakar ka praman dena hoga

Indra dev - putra tumhe Agnidev ..Vaayudev....aur Varundev aur mere vahan Airawat k veg ko rok kar dikhana padega...

tabhi Varun Dev aur Vyau dev ki sammilit shakti se waha ek bawander pragat hua......mein kuch samazta usse pahle ussne muzhe apne bhiter sama liya ...yeh itna achanak hua ki muzhe kuch sambhalne ka mauka bhi nahi mila....

mein uss bawander mein fas gaya tha
tabhi agnidev ne bhi apni urja uss bawander mein laga di.....ab waha ka taspmaan bhi bahut badne laga aisa lagne laga ki jaise koi ubalte paani mein duba duba kar nikal raha tha

ab mein aur der nahi kar sakta tha

maine apne aap ko sambhala aur apni 5 tatvi ki sammilt urja se ek aapne chaaro taraf ek kawach ka nirmah kiya ...jissse mein uss bhayankr bawander mein bhi sthir ho gaya

phir meine aakash tatva ki urja se ek
vaccum banaya jissne uss bawander ko apne bhiter sokh liya.....

tabhi muzhe jor se kisine uchal phenka toh dekha kai sund wala ekdum safed ek badasa haathi apni sabhi sund ko upar uthakar chinghad raha hai..

uper se niche aate hue mine usse dekha ...ab woh phir muzhpar waar karne daud kar aaya toh mein usske pairo se bich se bachkar picche ki aur nikal gaya aur punch padakar chalang lagate hue usske pith par sawar ho gaya.........ab woh muzhe girane k liye uchalne laga sabhi devta iss khel ko utsukta se dekh rahe the ...

tabhi devraj Indra...jaldi karo putra abhi bas suryadaya hone hi wala hai
aur aise hote hi hum sab taha se prashthan kar jaayenge....

Tabhi muzhe dhyan aaya ki haathi ankush se hi vash mein hote hai

tab meine apni shaktiyo ko apne haath mein ekatrit kar k waha prahar kiya jaha ankush lagaya jaata hai

aur Airawat shaanth ....

Devraj - Bahut accha putra ab tum vyogya ho gaye ho apni talwar dharan karne k liye .....parantu dhyan rahe yeh param vidhwanskari hai

isska prayog tum tabhi karoge jab ati aawshyakta ho

tabhi sabhi devtao k sharir se urjaye nikal kar ek jagah ektrit ho gayi aur
pragat hui ek vishal chamkti hui divya talwar....




tabhi woh talwar prakash mein badalkar muzh mein sama gayi, jisse muzhe tez tez zhatke lagne lage aur asahniya pida ka anubhav hone laga

mein vahi kathinayi se ussko apne bhiter sahan kar raha tha...tabhi

Varun dev - putra tum yaha jatatva ki pradhanta wale kshetra mein aaye aur apni abilishit vastu ko prapt kiya
isse mein bahut prasanna hu

yeh lo meri taraf se upahar
VARUNASTRA...jo meri shaktiyo se parpurna hai......

varundev se astra paakar meine Sabhi devtao ko ko pranam kiya ....
tab tak suryodaya bhi ho chuka tab aur sabhi devta prasthan kar gaye

maine bhi Surya narayan ko arghya chadaya aur mansarover ko pranam kiya...

pihr Kailash parvat ki parikramma karke wapas rakshas taal par aake apne mitr ko yaad kiya

tabhi waha GK pragat hua

GK - bahut bahut abhinandan mitra.
aapne apne dusre padav ko bhi paar kar liye..ab kaho kya aagya hai

Mein - mitra aabhi toh guru dev k bataye teesre padav ki aur jaana hai ...lekin muzhe abhi mere mitro ki baht yaad aarahi hai..unhe dekhne ka bahut dil kar raha hai kya tum issmein meri sahyata kar sakte ho mitra.....
GK - Kyu nahi mitra jarur....

aur usne apne haath hawa mein lahraya toh waha aashram ka drishya muzhe dikhne laga

jaha mere mitra abhyas kar rahe the
unhe dekhkar mein bafa prasanna tha ...
aise sabko dekha ...Rakesh ko ekanth mein baithkar dhyan karte hue dekha, usske shair se ek adbhut prakash nikal raha tha

phir muzhe dikha aashram ka sarover dikha jaha Shalu ko baithe dekha jo udaas man se jal ki taraf dekh rahi thi , usski aankon mein aansoo dekhkar na jaane kyu mera mann bahut dukhi hone laga..

mein apne mann mein Shalu ...Shalu itna dukhi mat ho .....

tabhi Shalu idhar udhar dekhne lagi..
Abhi... Abhi ..Kaha ho ...
phir ...shyad mera bhram hoga

Tabhi GK - mitr lagta hai aapki aawaj waha tak pahucnh rahi hai...

aapka antahakaran bhi jagrit ho raha hai.....
usski baat samazkar mein phir Shalu se sampark karne laga ..Shalu idhar udhar kya dekh rahi ho mein tumahare hridaya mein hi hu

tum udaas na ho mein jaldi hi aanewala hu....

apne mann mein Abhi ki awaaj sunkar Shalu bahut prasanna hui..

ab mrin chal pada GK saath apne agle padav .....jwalamukhi parvat ki taraf.....

abhi k liye itna hi....
agla update jald hi ....
[/color]
 
[color=rgb(184,] Update - 29

ab tak aapne dekha .....A1 ne
mansarover jhil se apni talwar
.....aur Varunasrta prapt kiya ...
GK k shaktiyon dwara aashram mein apne mitro ko dekha .....
aur Shalu se bhi sampark kiya

ab aage......
[/color]

[color=rgb(184,]GK - ab bataye aapko kis aur jaana hai
mein - mitra ab muzhe jwalamukhi parvat jaana hai......

GK - aap yadi meri baat manoge toh kuch kahu.....

mein - haa ..ha kyu nahi issmein sankoch kaisa......kaho

GK - mitra aaj aap yahi aaram kar le toh accha hai .....jiss jaha aap jaa rahe ho waha toh aapko apni bahut urja lagani padegi.......isiliye aap yahi par

apni urja ko aur niyantrit aur satik upayog karne ka abhyas ..
[/color]

[color=rgb(184,]aur apne prapt hue astro k sanchalan ka abhyas kijiye hai.....

mein - bilkul sahi kaha hai mitra....
iss safar mein meri bahut urja ka prayg hua hai .....aur muzhe bhi thakan si mehsus ho rahi hai....

phir GK ne apni shakyon dwara ek sunder kutiya ka nirman kiya ...usske ander .....bhojan jal aur aaramdayak shaiya ka prabandh....

mein - wah mitr bahut accha prabadh kiya hai......abhi toh subah k sirf 9 baj rahe hai....
thoda yudh kala ka abhyas ho jaaye

pihr mein wahi GK k saath yudh kala ka abhyas karne laga....talwar baaji
kushti.....aadi ....lekin iss baat ka bhi dhyan rahk rahe the k kissi ko chot na
aaye ....

aaj mein pahle se bahut bahut behtar aur takaktwar apne aapko mehsus kar raha tha .....shayed mere bhiter sammaye inn astro k kaaran ho...

GK - Bas ...ab muzhse aapka saamna nahi hoga .....aap toh mere jaise kaiyon ko bina shaktiyon k sirf yudh kala mein parast kar sakte ho....

phir - humne saath mein khana khaya
aur aaram kane laga...
GK bhi kal aane ka kahkar chala gaya tha .....mein ab rak k apne safar k baare mein sochte sochte so gaya

meri nind jab khuli tab dekha ki surya asth honewala hai ....mein phir satlij nadi k kinare jaakar snan kiya aur dhyan karne laga.....

Dhyan mein apne bhitar muzhe aapne shastra dikhne ... lage.....aur unki urja
tabhi muzhe mere bhiter se aawaj aayi

arre kyu itna dhyan sadhna aur shaktiyon k picche pada hai......
kya karna tuzhe innshaktiyon ka
jiwan bar bar nahi milta ...khub maze karo aapno ka prem paao ...aur sansar k bhogo ka khub aanand uthawo yehi jeewan hai...

tabhi dusri aawaj -- arre ..arre yeh kya kah raha hai ....tum isski baatein bilkul mat sunnana yeh sab galat bol raha hai......bina uddesya k jeewan bhi koi jeewan hai......aur manav jeewan ki sarthakta toh tabhi hai jab woh lokkalyan aur aatmkalyan kare....

pahli aawaj - nahi yeh galat hai ....aisa jeewan kis kaam ka jisme hum hi aanand na utha sake

dusri aawaj -- tum isski baatein bikul na sunnana.....shaktiya sabhi ko prapt nahi hoti......tumhe ho rahi hai isdka arth hai ki swayam parmatma ne tumhe chuna hai .....

kitne bhagyashali ho tum

dono ka shor sunkar mein bada hairan tha ki ab yeh kya bala hai..

mein - kaun ho tum dono ..aur mere bhitar kya kar rahe ho....

dusri aawaj - hum aapke hi antakaran ka hissa hai.....
aapka manomay kosh puri tarah jagrit ho gaya hai....jiske do rup hai mein antarmann hu aur yrh bahirmsn hai

antarman vyakti ko acche karya k liye prerit karta hai ......aur bahir mann vyaktl ko vasna aur bhogo ki taraf le jaata hai.....

pahli awaaj - Tum kyu isse saare bhed bata rahe ho mera dum ghut raha hai muzhe bachao......mein ander gum ho raha hu.......

tabhi mein dhyan mein aur gahra utra toh muzhe apne bhiter ek divya shwet prakash ka anubhav hua ...aur asim aanand ki anubhuti hui...

phir antarmann se aawaj aayi...
dhnya ho tum ...aaj tumne apne bahir man par vijay prapt ki....jisse bade bade yogi bhi vash mein nahi kar paate......ab se tumhe sansar ki koi burai chu bhi nahi paayege...

ab har prakar ki maaya ki vastavik ta tum antarman mein dhyan lagakar dekh sakte ho...

raat ko phir thoda idhar udhar prakrti ka aanand liya ...aur subah phir chal diya GK k saath Jwala mukhi parvat

GK muzhe jaha lekar gaya waha se thodi dur muzhe bada hi sunder barf se dhaka hua chandi ki tarah chamkta
hua ek parvat dikhayi diya.....

mein aur GK hairan ho gaya

mein - yeh kaha laaye ho mitra yaha toh charo taraf barf k parvat hai ....jawalamukhi parvat kaha hai...

GK -muzhe khud pata nahi cal raha hai ...maine toh apni bhraman shakti
ko Jwalamukhi parvat ka hi aadesh diya tha.....phir hum yaha kaise aakar pahunche....

muzhe kuch sanshay hua ki ho na ho yeh kisi ki maya hai....... mein aage bada thodi hi dur jaakar muzhe bahut jyada garam hawao ka ashsas hua ..jaise ki chaaro taraf aag lagi ho ...

tab maine apne antarman ka sahara lene ka socha aur bhitar dhyan lagaya.

antarmann ka dhyan karte hi uski urja mere netro mein sama gayi aur maine aspne asnkien kholi toh saamne bada hi hairan kar dene wala drishya dekha

jaha mein khada hu usse thoda hi aage pigle hue laal laawe ka jaise bahut bada koi sarover ho ...aur usse aage sarover k anth mein ek dhadhakta hua JWALAMUKHI parvat

ashcharya ki baat yeh thi ki iss garam laave k pass yeh barfili jagah kaise

GK ko kuch samaz mein nahi aaraha tha mein kya dekh raha hu....

ab prashna yeh tha ki satya toh muzhe dikh raha hai ab iss maya ka aant kaise karu.....

tabhi muzhe kuch suzha aur meine aapni prithvi tatva ki urja ko ektrit kiya aur aage lawa ki taraf phenki

aur dekh dekhte waha ki maya samapt ho gayi ...chaaro taraf bahta lawa ..

GK - dekho mitr yeh raha Jwalamukhi parvat

mein - haa mitra

ab prashna yeh tha ki kaise iss bhayankar jawalamukhi k sarover ko paar karke uss parvat par pahuncha jaaye......

abhi k liye itna hi.....
agla update raat ko ......[/color]
 
[color=rgb(184,] Update - 30

ab tak aapne dekha A1 Jwalamukhi parwat pahuch chuka hai.......

ab aage.......
[/color]

[color=rgb(184,]mein aur GK waha khade dhadhakte hue lawa aur parvat ki aur dekh rahe the jisme se niranter visfot ho raha tha aur har visfot k saath nikal raha tha laal laal lawa , maine paas hi pada ek patthar uthakar uusmein phenk kar dekha toh , woh patther uss lawa ko chute hi pighal gaya......

tab maine socha ki agni hui agni ko kewal jal hi shaant kar sakta hai.

tab maine apni jal tatva ki urja ko ektrit karke ek bada sa jal ka gola sa banaya aur saamne lawa k sarover mrin chod diya......jal lawa par girte hi badi maatra mein dhua utpanna hua

GK - wah mitr yeh yukti kaam kar sakti hai......
uske paas bhi jal aur vaayu tatva ki power thi toh woh bhi mere saath uss lawa par jal ki varsha karne laga

hum dono ne itni maatra mein jal barsaya ki utne jal se ek talab bhar jaaye.......
charo tarf dua hi dhua ho gaya....

tab humne vaayu tatva ka prayog karke uss dhuve ko uda diya aur dekha ki lawa upar se thanda ho gaya hai aur kaale patther maidan k jaisa lag raha hai........

humne socha ki hamari yukti kamayab ho gayi....

jaise hi kadam aage badaya toh hua ek bada sa dhamaka....aur sarover ka jame hue lawe ki jamin hilne lagi aur phir woh lawa waise hi ho gaya jaise pahle tha.....

ab hum soch hi rahe the ki kya kiya jaaye .....tabhi uss laawe ki jhil se pragat hue bhayankar agni danav

unka sharir dhadhadkte hue laawe se bana hua tha jinme se aag ki lapte nikal rahi thi....unki sankhya lagbhag 100 k kareeb hogi...saare 50 ft k aaspaas hi hogi

pragat hote hi sabhi agni danav jor se garajne lage .....

unko itne sankhya mein dekhkar mein aur GK bhi sawdhan hone lage

hum phir jal tatva ka upayog karke waha musaladhar jal ki varsha karne lage.....

lekin kya jal untak pahunchne se pahle hi bhaf bankar udne laga ab woh danav hamari taraf badne lage

mein aur GK apni apni urja se unnpar war karne lage lekin hamare war ka unn k upar koi asar na hote dekhkar ab hum sochne lage kaise innka saamna kiya jaaye

tabhi ek danav ne mujhpar hamla kar diya.....usska ek prahaar sidha mere chatti par pada aur mein dur jaakar gira...

GK ne apni apne bhitar se waisa hi ek danav pragat kiya .....jisske saath mein ladha tha Jab mera saamna usse pahli baar hua tha...

Gk aur uska danav se talwar se un agni danav ka saamna kar rahe the toh maine bhi apni divya talwar ko yaad kiya aur bhid gaya unse...

woh danav lagatar aag se humla kar rahe the....hum bache hue apna war kar rahe the ....maine tabhi ek jordar war saamne aarahe 10 danavo par vaayu ki gati se apni talwar se war kiya....

aur woh danav kat kar wapas laawe mein gir gaye...
apne war ko safal hote dekhkar mein bada prasana hua ki tabhi woh kate hue 10 danav wapas uss laawe se pragat ho gaye..

tabhi ek agni danav k war se Gk ka danav jalkar basm ho gaya .....

yeh dekhkar GK na jaane kyu
muskurane laga ...
tabhi maine dekha ki waha GK k basam hue danav ki raakh se 4 danav aur pragat ho gaye ...woh char danv jaise hi aage badhe toh agni danav k prahar se woh bhi bhasm ho gaye aur unki bhasm se 8 danav pragat ho gaye

mein - yeh kya maya hai mitr...

GK - yeh muzhe mila hua vardan hai mitr isiliye mera naam Gunak hai

jab tak muzhe koi kshati nahi pahunchti yeh aise hi badte rahenge

aise hi GK k danavo ki sankhya 60 k kareeb ho gayi thi hum sab apne war se unn agni danavo ko apni talwr k war se samapt kane ka pratna karne lage.......tabhi ek aag ka gola GK ko aakar laga aur woh dur jaakar gira

aur uske saare daanav jaane kaha gayab ho gaaye....

hum toh abhi lawe k sarover mein bhi pravesh nahi kar paarahe the aur....

aur woh danav waha se nikal nikal kar
hamari aur badh rahe the.....

maine socha ki aise toh hum kabhi uss parvat par pahuch nahi paayenge

ky kiya jaaye .....tabhi mere haath ki anguthi chamkne lagi aur mahaguru ki aawaj aayi...

mahaguru - iss vipatti ka samadhan tumahare hi paas hai putr bas apne buddhi se kaam lo ..vichar kar

tabhi mein vichar karne laga kuch kuch upay nazar aane laga .

mein - Gk tum jal aur vaayu ki urja se ek sheet lahar ka nirman karke ek ek danav par chodo......

Tab maine apni gada ko apne bhitar se pargat kiya ...
Jaise hi GK ne sheet lahar lawa se nikalte hue danao par chodi woh danav pather ki tarah jamne lage aur mein gada se unhe nasht kar raha tha

unka shair meri gada k prahar se pathar k tukdo mein badalne lage

lawa hi unki jeewan shakti thi usse unka sampark tutte hi unka naash hone laga....

aur issi tarah sabhi agni danav samapt hue ......

ab sirf uss jhil ko paar karke parvat tak pahunch na tha..

toh humne sheet lahar ka prayog karke uss jhil ko jammane ka prayatna kiya..........toh phir Mahaguru ki aawaj aayi......
putra dhyan rahe jis astra ko tum prapt karne aaye ho woh agni tatv ki urja k hai ....tumhien unhe iss garam lawa ka saamna karte hue prapt karna hoga.....

ab kya kiya jaaye....

tabhi vichar aaya ki agni ...agni ko jala nahi sakti...

phir maine MANIPURAK chakra ko jaagrit kar k uss ki samprana urja ...

se apne sharir ko agni roop mein badalne laga ...ab mere shari se bhi bhayankar asg ki lapte nikalne lagi

aur mein teevra gati se lawe par chal kar pahuch gaya Jwalamukhi Parvat

aur uss parvat k shikhar par jaakar kud gaya garam laawe k bhiter

tairte hue muzhe ek shool dikha..
iss pighle garam lawe mein bhi woh shool apne swarup mein tha ...

mein samaz gaya ki yahi agni shool hai..usse lekr mein bahar nikala ..

muzhe apni urja kam hoti hui lagi..
mein uss shool ko lekar apni puri urja ko lagakar uss Jwalmukhi parvat se bahar aaya ...waha aakar dekha ki na toh ab koi lawa waha tha aur na hi uss parvat se koi jawalamukhi....

meri bahut si urja iss karya mein lag gayi thi isiliye meri asnkhein band hone lagi aur mein behosh ho gaya...

behoshi ki haalat mein hi muzhe zhatke lagne lage ( agni shool k apni bhayankar urja k saath bhitar pravesh karne k kaarn) aur muzhe aisa lagne laga jaise mein bhayankar agni mein jalraha hu....muzhe badi jalan hone lagi....tabhi achanak woh saari agni lupt ho gayi.......muzhe aise laga ki mere chehre par paani ki bunde pad rahi hai ...aur meri aankhien khuli

jaise meine dekha toh paaya ki do badi badi aankon se aansoo ki bunde mere chehre par pad rahi thi...

mera sir apni goad lekar muzhe pukar rahi thi ...ab mein puri tarah hosh mein tha.......muzhe hosh mein aaya hua dekhkar unn aankon mein khushi chalak uthi .....apne liye athah prem unn aankhon mein dekhkar mein kho gaya.....hum ek dusre ko bas dekhe jaa rahe the......

Tabhi GK k aawaj se humara dhyan hata......

GK - SHIVALI ji abhi humara karya adhura hai.........
ji haa woh Yakhsha kanya Shivali thi jo Kuber ji k Alkapuri mein mili thi

hum dono khade ho gaye....tabhi agnidev pragat ho gaye....

Agnidev - putra aaj tumahare sahas aur veerta dekhkar mein prasanna hua ....mein tumhe vardan deta hu ki meri agni tumhe kabhi kou haani nahi pahunchayegi......

aur upahar k roop mein yeh lo..
AAGNAYASTRA......

Agni shool aur astra paakar yeh padav bhi ab poora ho gaya tha

mein Shivali k taraf dekhkar ...
mein - aap yaha kaise ...

tabhi GK ne kaha -- mitr jab tum behosh ho gaye the maine tumhe bahut uthane ka prayatna kiya par safal nahi ho paaya...

Tabhi muzhe inn Awaaj bar bar sunai de rahi thi....aisa lag raha tha jaise yeh muzhe hi pukar rahi ho...

meine socha ki innke paas tumhe swastha karne ko koi upay hoga .

toh mein inhe yaha le aaya...

Shivali - muzhe na jaane kyu kuch anisht hone ki aashanka ho rahi thi
mera mann bhi na jasne kyu ghabra raha tha...
jab mein dhyan mein baithi toh muzhe yaha ka drisya dikhayi diya

isiliye mein yaha aagayi

mein vichar karne laga ki yeh kaise adbhut sambandh hai jo dusre lok mein hone k paschyat bhi isse meri pida ka anubhav hua....

abhi k liye itna hi ....
adla update kal....
[/color]
 
[color=rgb(243,]Update - 32

ab tak aapne dekha ki MS dharti par apne banaye drugs se charo taraf ha-hakar macha raha hai.....
aur yaha A1 4 th astra prapt kar chuka hai...

ab aage ......

mein GK k saath baitha apne agle padav k baare mein vichar kar raha tha .........ki ab Vyomastra aur Trishul kaise prapt kiya jaaye ......itna toh pata tha k yeh aakash tatva ki shaktiyan hai.......

meine socha k jis tarah Vayu tatva k astra tak pahuncha ussi tarah aakash tatva tak bhi pahuncha jaaye

toh meine aakash tatv ka apne sharir mein kendra Vishuddhi chakra par dhyan lagaya ........jaise jaise dhyan gahra hota gaya muzhe alag alag naad sunayi dene lage .....kabhi sangeet ki dhwani .....kabhi Om ki dhwani.....bas badi der tak dhyan karne par bhi kisi nishkarsh par na pahunch saka......

vichar karne laga ki ab kya kiya jaaye.
tabhi muzhe Shivali k dwara diye gaye locket ka dhyan aaya....

toh gale mein pade uss locket ko haath mein lekar meon ussase hi puchne laga ........

mein - locket ko shivali samazkar....
meri pyari Shivi mein toh bhul hi gaya tha ki tum locket k jariye mere saath ho....... itne kam samay mein tumhe muzhse kitna gahra prem ho gaya
ki itne dur se tum mera dard mahsus karti ho

aur mein hu ki tumhe bhul jaata hu ..
tabhi us locket se 2 boond paani k gire aur uska rang lal hogaya.....muzhe aise laga jaise woh meri baate sun raha ho.... aur ro raha ho

mein - arre Shivi tum kyu ro rahi ho...
aise naraj toh na ho ....aur mein uss lacket ko chum liya....toh woh gulabi rang ka ho gaya aur idher udher uchalne laga......

muzhe yeh dekhkar badi hairani hui
ki dekho kaise yeh khushi se uchal raha hai.........yeh meri saari baat samaz raha hai.....

mein - arre tum toh dekho sharmakar kaise gulabi ho gayi ho......ab aise uchalna band karo......aur batao kya tum meri sahyata kar sakti ho..

muzhe aakash tatva k trishul ki khoj hai ..parantu woh kis disha mein prapt hoga iska pata nahi chal raha hai....

tabhi woh locket shitr ho gaya aur chamakne laga usme se ek chitra pragat hua.........usko dekkar..

arre yeh toh humare aashram k Shivalaya ka chitra hai......
parantu muzhe abhi gurudev ka diya hua lakshya pura karna hai...
tum muzhe yeh batao k muxhe woh trishul kaha prapt hoga...

toh phir wahi chitra ......tab muzhe uss sivakaya mein rakhe hue ek purane trishul ka smaran ho aaya.......

idska arth yeh hai ki yeh atim astra muzhe wahi prapt hoga......lekin isse pahle gurudev se aagya maangni hogi

tabhi mera dhyan apne haath mein sthit gurudev k anguthi ka dhyan aaya

maine shraddha se usko pranam kiya
aur man mein --- hey gurudev aapke bataye hue astro mein se antim astra aashram mein hi sthit hai usse prapt karne k liye muzhe waha aashram mein aana padega......ab muzhe waha aane ki sweekriti dijiye gurudev ....

mein abhi yeh bol hi raha tha k achanak waha ka sab drishya badal gaya aur ab mein aasram mein ....ussi Shivalaya mein gurudev k saamne baitha tha........

aise achanak se yaha apne aapko dekhkar hairan ho gaya

gurudev muzhe dekhkar muskura rahe the.....swagat hai putra aakhir tumne unn astro ko paa hi liya...

parantu abhi trishul baaki hai ...

mein - Guru dev yeh sab aapke hi aashirwad ka pratap hai ....aap jaise samarth guru ka aashirwad jisske saath ho woh asafal kaise ho sakta hai............
Trishul toh yahi Shivalaya mein hai gurudev hai ....toh ussko prapt karne mein kaisi kathinayi...

Gurudev - Putra bina aatma k sharir jaise vyarth hota hai waise hi iss trishul ki saari shaktiya kahi aur bandhi hui hai jaha pahunch ne ka marg issi Shivalaya se hokar jaata hai usse tumhe khojna hoga....

ab tum jaso apne mitro ko mil lo aur kal pratha aarti k baad tum apne lakshya ki aur agrasar ho jaana....

aur mein gurudev ko pranam karke chal diya apne mitro ko milne....[/color]

[color=rgb(85,]jab tak A1 apne mitro ko milta hai hum dekhte hai dusri aur Roopnagar mein

yaha RVS bahut pareshani mein basement mein training hall mein idhar se udhar ghum raha tha tabhi Abhi aur naina bhi waha pahunch jaate hai

Niana - aise pareshan na hoyiye koi na koi haal nikal aayega

RVS- kaise Naina ...kaise ....kya fayeda hai inn shaktiyo ka jab hum kisi ko bacha nahi paa rahe hai

chotte chote bacche students sab jaise pagal se hue hai abhi toh sirf mahanagro aur kuch saharo tak hi yeh hi haha hai aise hi chalta raha toh
pura desh hi isski chapet mein aajayega

mein nahi dekh sakta yeh sab.......apni puri powers lagane par bhi mein yss tak nahi pahunch paa raha hu jisne yeh sab kiya hai....

aur na hi mein unn baccho ko thik kar paa raha hu.......

Naina - aise hosla haarne se kya hoga
aapne ab tak kitno ki jindagiya bachai hai .........Jab jab bhi burayi badti hai toh usske daman k liye parmatma bhi koi na koi upay dhundta hai.....

Abhi - haa dad aap pareshan na ho

tabhi Contro room se msg aaya

Sir RAW chief aapse baat karna chate hai ......phir RVS apne cell se RAW chief se baat karta hai
yes ...haa sir ....koi baat nahi mein abhi waha pahunchta hu.....aisi maut dunga usse k burai karne walo ki ruh kaanp jaayegi.....

mein - kya hua dad...

RVS - bete lagta hai k abhi sab thik ho jaayega

Raw chief k paas mere liye ek msg aaya tha ....ki .......ussmein kssi jagah code batakar muzhe waha aane ka challenge kiya gaya hai
chief uss code kovdecode nahu kar paaye ...lekin mein uss address ko samaz gaya hu
yeh lattitude aur longitude milakar jagah ka code banaya gaya hai....

now lets the hunt begins....

mein - Dad mein bhi chalta hu...

dad phir apne 5 agents muzhe lekar teleport ho gaya hum sab mask mein the........jab hum waha pahunche toh dekha ek chotta sa kamra hai jisme halki si roshni aarahi hai ....waha ek aadmi bada pareshan hokar drink kar raha tha.......

hum sab ko achanak apne saamne dekhkar woh apni chair se uchalkar gira...

aadmi - arre teri toh saala bc tut gayi re kamar......phir hamari traraf dekhkar jor se chillata hua
aree baap re bhooot ...bhooot ..bhoot

saala bc tu bhoot log apun ko maarne aayele ho kya ....kahi tum yum doot toh nahi .....saal pappu tu toh gaya re aaj ......mom ..apun ko bolti thi k galat dhanda mat kar ...lekin nai ...apun ko toh sunne kaich nai tha ...

tum 7 yumdut log akele apun ko lene aaye ho....lekin apun ko marne ka nahi gai re ....

kahkar idhar uhdhar bhag raha tha..
tabhi dad..... hmm toh tu hi hai woh jissne muzhe challenge kiya tha

Pappu - arre Sangharak bhai ...wah apun toh tumkoich dhund rahela tha

dad - yeh sab drugs failakar ab natak kar raha hai...

pappu - arre nahi nahi bhai mana ki mein harami hu lekin itna bada harami nahi hu bhai ....ki chotte chotte bacche logo ko aisi takleef pahunchau

woh toh mein tumko yeh sab karne wale ka naam batana chahta tha...

dad - toh tumne police ko kyun nahi bataya

pappu - Bhai yeh ek bahut bada zhol hai pata nahi kaun kaun saala bik gaya hai....

phir pappu MS k saath hui meeting se lekar ab tak ki saari jaankari.....RVS ko deta hai.....

aur rote hue bahi chodna nahi uss haram k pille ko , mera baccha bhi uss drug ka shikar ho gaya hai bhai..
ghar par bandhkar rakha hai ussko bhai

dad - woh durg kaunsa hai kya tum vata sakte ho...

pappu - naam toh nahi pata lekin apun k paas woh drug pada hai

apun ko bhi yeh kasm diya gayela tha magar apun ka dil hi nahi mana.....
saara drugs apun k godown mein hai

apun unko zhoot boltkar ki drugs supply ho raha hai .bachta raha

phir dad ne usse drug ka sample lekar baaki drugs ko destroy kar diya

aur pahunch gaye reasearch lab
uss drug ka antidod bannane ki koshish jaari hui......

Yaha RVS ne MS tak pahunch ne ka bada praytna kiya lekin unki teleportation ki power bhi unhe waha nahi le jaa rahi thi....

drugs k wajah se school band the

ki Maine socha ki kyu ba aaj Rimpy Ko surprise diya jaaye ....toh pahunch gaya mein unke ghar.....bahut baar unke gahr jaa chuka tha phir bhi pahle ander Rimpy k dad k pa ko inform kiya gaya aur pa ne HM uncle khar permission mil hi gayi...

ander gaya toh Uncle pa se kisi baat ko discuss kar rahe the....muzhe dekhkar......
arre beta aao .....sorry ..takleef k liye
lekin tum samz sakte ho asjkal haalat hi aise hai

jaao beta Rimpy ander hai ...

mein Rimpy k room mein pahuncha toh dekha door khula hai ...room mein enter kiya toh dekha Rimpy nahi hai

maine socha shtad bathroom gayi hogi .
mein room mein idhar udhar ghumne laga toh meri nazar almari k door par padi tabhi dekha k woh door khula aur usmein se nikli Rimpy ...

mein sochne laga ki yeh andar kya kar rahi thi ...muzhe achanak saamne dekhkar wo hadbada gaayi....

abhi k liye itna hi ....
agla update raat ko ......[/color]
 
[color=rgb(41,]Update - 33

ab tak aapne dekha A1 Trishul ki khoj mein aashram aaya

aur pappu bhai k dwara RVS ko MS k baare mein pata chala aur drugs sample mila...

Abhi Rimpy k ghar mein gaya
usse Rimpy wardrobe se nikalte dihki....

ab aage......,.......
[/color]

[color=rgb(41,]abhi mein Rimpy k room ko dekh hi raha tha ki meine wardrobe k darwaje se Rimpy ko dejh jo muzhe aise aapne saamne dekhkar hadbada rahi thi

mein - arre sweetu tum wardrobe mein kya kar rahi thi .....wardrobe kapde rakhne k liye hota hai.......
insaano k rahne k liye nahi.....

Rimpy - woh .....w....oh ......mein ..
kkkkkkuch nahi.....baas aaaaise hi

mein usske paas gaya - toh itna ghabra kyu rahi ho.....usske maathe par aaya padina pochte hue ......
aur dekho toh a/c chalu hote hue bhi kitna paseena aarahi hai......

aur maine usse apne gale laga liya

Rimpy - Babu tum jaante ho ki main Reasearch ka kaam karti hu

mein - haa jaanta hu .....toh issmein kya hai...

Rimpy - aao mein tumhe kuch dikhati hu
aur mera haath pakadkar wardrobe k ander le jaane lagi

mein - arre... arre yeh kya kar rahi ho muzhe isske andar kyu le jaarahi ho

tabhi ussne wardrobe ka darwaja khola ....toh ussmein muzhe ek screen dhikayi di ....woh jab uske aage khadi hui toh ussmein se ek ray nikli aur uske chehre par padi aur waha ek door open hua ...mein hairan tha yeh dekh kar .......ki kya ho raha hai ....
ek secret chamber mere ghar k nichee aur ek yaha bhi ...
jab mein ander gaya toh waha ek lab dikhayi di jaha tarah k tarah k chemicals the aur dihayi diye bahut saare gadgets ....tabhi humare saamne ek chotti bachi aayi ....

welcome mom mein aapke liye kya kar sakti hu

mein - yeh sab kya hai Rimpy ..aur yeh pyari si bacchi kaun hai....lekin yeh kuch alag tarike se baat kyu kar rahi hai ....aur tumhe mom kyu kah rahi hai....

Rimpy -- arre arre babu ek saath kitne sawal....thik hai toh suno

Yeh hai meri personal privat lab jaha mein apne experiments karti hu ...

aur yeh hai guddi meri banayi hui humanoid robot....

lekin abhi inn sab baato ko chodo aur
[/color]
[color=rgb(41,]idhar dekho.......
woh muzhe ek screen k aage le gayi

dekho aajkal jo bimari school k baccho mein fail rahi hai jisse sab jagah tabhai mach rahi hai.

mein uspar reasearch kar rahi hu

yaha dekho meine aise hi ek bacche ka blood sample ek hospital se badi mushkil se haasil kiya ...

aur jab meine uupar reasearch kiya toh paaya k yeh koi bimari nahi hai

kuch aur hai yeh koi aisa siram ya drug hai jisse vaccho k DNA mein change aaraha hai......
its too dangerous..... lekin aam human body iss change ko accept nahi kar paa rahi issiliye woh sab pagal ho rahe hai aur apne ko hi khatam kar rahe hai......
agar kisi ki body is DNA change ko accept karti hai toh human se badal kar kuch aur ho jaayega....

shayad koi ajeeb sa jeev ya kuch aur

kyu ki jaisa change inke dna mein aaraha hai waisa dna iss dharti par kisi ka bhi nahi ho sakta...

mein - ohh god agar yeh bilkul aisa hi hai jaise tum kah rahi ho toh sach mein bahut dangerous hai yeh ...

issko rokne ka koi upay

Rimpy - Science mein kuch bhi impossible nahi hai .....agar iss duniya mein koi sawal paida hota hai toh saath saath uska jawab bhi paida ho jaata hai.....

jaha tak meine reasearch ki hai ....
toh isska antidod ussi drug se ban sakta hai jisse yeh Dna mein change aaraha hai.....

mein - Rimpy ismein hamari koi madad kar sakta hai......tum kaho toh unhe yaha bula sakta hu....

Rimpy - haa lekin iss jagah ki privacy barkarar rahni chahiye....

mein - abhi yaha itni badi problem hai aur tumhe privacy ki padi hai

Rimpy - tum muzhe galat mat samjho
yaha tum dekh rahe ho kitne saare gadgets hai.....agar yeh kisi aise k haath lage jo desh ka dushman ho toh aur nayi problem aajaayegi

mein - tumne aise gadgets banaye hi kyu jo vinash ka karan bane...

Rimpy -- Vinash toh weapons aur
atomic weapon bhi karte hai lekin woh desh ki suraksha k liye jaruri hai
isiliye .....

mein - tum iss baat ki chnta mat karo kyu ki jinhe mein bulane wala hu woh desh k gaddro k liye chalti phirti maut hai....

phir meine dad ko call lagayi.....
Mein - Agent sir shayad aap kjis solution ko dhund rahe ho woh mil gaya hai.....jaldi se aap HM sir k ghar k ander ek secret chamber hai waha aajao....

dad samaz gaye ki unhe yaha Sangharak k roop mein aana hai..

tabhi woh waha teleport hokar aagaye

unko sangharak k roop mein acahanak apne saamne pragat hote dekh kar.....rimpy ghabra gayi ..aur mere taraf dekhne lagi...

Dad - awaaj change karke - ghabrao mat beti ........

Rimpy - siiir ...yadi mein galat nahi hu toh kya ...woh hi ....RAW k famous agent hai jiske naam se hi underworld khanpta hai...

dad - bilkul thik beti mein woh hi hu

phir Maine dad ko saari baatein batayi

jisse sunkar unhe ek aasha ki kiran dhikhayi di

dad - welldone beta ...agar yeh safal raha toh saari problem solve ho jaayegi... ...kya tum humari reasearch lab chalogi.....

Rimpy sir - mein abhi sabke saamne aana nahi chahti ....yadi aap muzhe woh drug laa de toh.....
agar antidod ban gaya toh uss formula se aap apne lab mein bhi ussko bana sakte ho...

fir dad waha se teleport hokar chale gaye aur wapas uss drug k saath aagaye.

Rimpy uss drug k sample ko decode karne ki koshidh karne lagi ..

kareeb 2 hr ho gaye ussko try karte hue.
Rimpy - sir yeh drug homeopathic medecine bannane k tarike se bana hua hai ......jisme alcohal k jariye kisi bhi chij ki power nikal kar mother tincher banaya jaata hai ...

jaise poison k asar ko rokne k liye poison se hi medicine banti hai ussi tarah.....

phir Rimpy ne ek tube mein uss drug ko milaya phir koi chemical
aur uss tube k chaaro taraf 4 chote gadgets rakh diye.....jis mein se rays nikal kar uss tube par pad raha tha

Rimpy iss process mein 8 hr lagenge

aur aapka antidode tayar..

dad - hume bahut maatra mein isse banana hoga....
toh iskeliye tih hume bahut matra mein drugs lagegi

Rimpy - no sir ...ek baar yeh medicine tayar ho jaaye toh homeopathic formule se issi se hum bahut maatra mein antidode vana sakte hai...

ab hume 8 ghante intejar karna tha..

[color=rgb(184,]ab dekhte hai A1 kya kar raha hai...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]guru ji se milkar jaise hi mein waha pahucha kaha mere saare mitr yudh kala ka abhyas kar rahe the[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]muzhe jab unhone aate dekha toh saare bahut khush ho gaye sab mere gale mile .....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Rakesh - abhinandan mitra jo tune prapt kita hai usske upalakshya mein aur mere gale lag gaya...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]CT - yaar tu toh bilkul badal hi gaya[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]yeh tera shari pahle se bahut mazboot hogaya......baajuon ko chute hue[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]arre yeh toh kisi vajra k saman kathor ho gaye hai ....aise kya kha k aaya bahar se.....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]sab muzhe bahar ki duniya k baare mein puchne lage...toh maine manda gaon ki baat batayi toh sab hasne lage[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Uday - tu jitna marji shaktishali ban jaa lekin rahega langoor ka langoor hi[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]arre bahar ki duniya mein dhan ki awasyakta hoti hai...[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Shalu sahi kahti hai tuzhe langoor[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]tabhi mein - acha mitr muzhe kuch kaam hai, sandhya ki aarti mein milte hai[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]CT - khub jaanta hu tere kasm ko[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]jaa sarover par ...wahi par milegi[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]main bhi muskurate hue nikal faya sarover ki taraf[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]waha jaakar maine dekha Shalu gumsum si kinare par baithi thi ek tak[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]jal mein dekhto hui...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]jo Shalu humesha shararti aur khush rahti thi ussko aise udaas dekhkat muzhe kuch accha nahi lag raha tha[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]tabhi mere gale ka locket garam hone laga toh muzhe ajeeb laga...[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]mein locket se - ohho toh meri Shivi ko Shalu se jalan ho rahi hai...[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]tabhi maine uss locket ko chuma toh phir woh gulabi ho gaya aur sheetal ho gaya.[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]mein - Dekho Shivi mere prem par bharosa rakho.....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]phir mein ek ped k piche chupkar[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Shalu.... meri pyari Shalu ...tu ..badi chalu[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]phir meib apni gati se sthan badalkar dusri taraf chala gaya aur waha se bhi usse pukara...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]meri aawaj sunkar woh charo taraf dekhne lagi ....lekin mein usse kahi par bhi nazar nahi aaya ..[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]toh phir woh vahi baith gayi ...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Shalu - Dekho na aaj muzhe kya ho gaya ab tum muzhe charo taraf se tumahari hi awaaj aarahi hai...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]mere kaan bajne lage.....hai jaldi aajao na abhi dekho tumahare bina tumahari Shalu kya haal ho gaya hai[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]tabhi mein achanak usske saamne aa[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]gaya....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]ab muzhe dekhkar ....[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Shalu - mein jaanti hu ki tum yaha nahi ho....abhi mein tumhe haath lagaungi tum gayab ho jaaoge ...aur woh rone lagi....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]mein usske pass jakar uske aansoo ponchte hue - arre meri shalu ki aankhon mein yeh aansoo bikul bhi acche nahi lagte ...[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]jab ussbe muzhe dekha ki nein sach mein uske saamne khada hu...[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]toh ussne jor se muzhe gale lagaya[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]muzhe gale lagaye woh roti rahi ..[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]jab thodi der baad woh chup hui toh bahut saari baatein humare bich hui[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]samay kaise beet gaya pata hi nahi chala.......sandhya ki aarti ...mitro k saath bhojan aur Rakesh k saath dhyan.....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]Dusre din subah k nityakarm aur dhyan k paschyat mein mandir gaya[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]aarti khatam hone k baad mein jaha woh trishul raha tha waha gaya ...yss trishool kovdhyan se dekha toh uske ek taraf surya bana hua tha toh dusri taraf chandrama ka....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]ab uss trishool ki urja ko khojne k liye uss mandir k ek ek kone ko bade dhyan se dekhne lagai tabhi ek jagah mandir ki parakrama mein piche ki aur muzhe wahi nisan dikhayi diye jo trishul par ankit the[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]meine unn nishano dabakar dekha toh niche ek chotta sa raasta khul gaya ..[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]toh mein bhi ussmein chala gaya toh dekha ek galiyaara hai ....mein chalte jaa raha tha ki galiyara tha ki khatam hone ka naam nahi le raha tha[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]tabhi meri drishti waha k deewar par vane hue chitro par padi.....[/color][/color]

[color=rgb(41,][color=rgb(184,]aaj k liye itna hi ......[/color][/color]
[color=rgb(41,][color=rgb(184,]agla update kal........[/color][/color]
 
Back
Top