Date : 24-09-09
11:30 pm
Bahut dard dekha hai ritu ne apni jeendagi mein, vo bhi itne kam vakt mein. Bahut had tak main khud ushke dukho ke liye zimmedaar tha.
Par aaj vo bahut khus hai. aankhe band karke mere paas hi lati huyi hai. ushe dekhta hun to ush par bahut pyar aata hai. hum abhi abhi pyar karke hate hain. Aaj ushne pyar karte vakt khub shor machaaya. Mujhe bahut acha laga ki vo ab sab kuch bhula kar ish pyar mein kho jaati hai.
Peechle hafte se maine ghar par hi ritu ko meditation seekhana shuru kar diya hai. vo bade pyar se seekh rahi hai. mera maksad ish riste ko ek alag hi unchaayi tak ley jaane ka hai. mujhe khusi hai ki ritu mera saath de rahi hai. meditation hamaare man ko shudh karke hamaare jeevan ko ek nayi disha deti hai. meri yahi koshish hai ki hum har vakt apne man ko shudh rakhein aur ache positive vichaar lekar jeendagi mein aage badhein. Maine aur ritu ne bure vichaaro ke parinaam apne jeevan mein dekhe hain ishliye ish baat ko ache se samajhte hain
Hum har Sunday ko mandir jaate hain, aur bhagvaan ka sukriya karte hain ki unhone hamein ek hasin rista diya hai.
Mera aur ritu ka bahut pyara rista chal raha hai. hamaare riste mein pyar hi pyar hai. takraar bhi hai jhut nahi bolunga par ushme bhi to pyar hi hota hai. pyar aur takraar saath saath chalte hain. Ritu jab ruth jaati hai to ushe manaane mein bahut maja aata hai. ruthte manaate aksar hum pyar mein dub jaate hain.
Abhi hamein ek saath bahut saare challenges ka saamna karna hai. chintoo jab yahaan aayega to pata nahi mujhe apnaayega ki nahi. par ritu ne kal kaha tha ki, "jab maine tumhe pyar kar liya to hamaara beta bhi karne lagega"
Mujhe pata hai ki ye itna aasaan nahi hai. par mujhe ummeed hai ki sab kuch theek hoga
Mujhe abhi jeendagi mein bahut kuch karna hai. maine m.com correspondence shuru kar di hai. civil services ka attempt bhi lene ja raha hun. ish December mein form bhar dunga. Jab mein b.com first year mein tha to maine socha tha ki ek baar civil services try karunga. ye chance lene ka ab vakt aa gaya hai.
Main aur ritu dil mein dher sara pyar ley kar pyar ke safar par chal pade hain. Jo bhi mushkilein hongi unka hum saath saath mukaabla karenge.
Vaise aaj shaam ko hamaare beech ek bahut pyara pal aaya.
Hum dono ne ek dushre ko surprise gift diya aur phir kuch aisa huva ki hum khud ko rok nahin paaye aur bhaavnaao mein bah kar pyar kar baithe.
Mujhe ritu saree mein bahut pyari lagti hai. main ushe yellow saree mein dekhna chaahta tha. maine aaj dopahar ko ek yellow saree kharid li thi.
Ghar aate hi maine ritu ko saree thama di. Vo saree dekh kar chonk gayi.
Maine pucha, "kya huva jaan saree pasand nahi aayi kya"
"Nahin bahut pyari hai jatin, tum aankhe band karo mujhe bhi tumhe kuch dena hai" -- ritu ne kaha
maine aankhe band kar li
ritu ne thodi der mein kaha, "aankhe kholo pati dev"
jaise hi maine aankhe kholi ritu ne mere haath mein ek shirt thama di. vo yellow shirt thi.
"arey tum bhi yellow shirt ley aayi" - maine kaha
"haan ishiliye to main hairaan thi ki ye matching kapde kaise kharid liye hamne, vo bhi bina baat kiye" -- ritu ne kaha
"yahi to pyar ka chamatkaar hai jaan, we are realy made for each other" -- maine kaha
ush pal mein hum itne madhosh ho gaye ki hamne ek dushre ko baahon mein jakad liya aur phir hamaare beech vo toofaani pyar huva ki kah nahi sakta.
ushi toofaan se chakna choor ho kar ritu mere baaju mein sho rahi hai aur main ish diary ka aakhri panna bharne mein laga hun.
hamaara pyar chaand ki unchaayi se bhi kahin aage badh gaya hai. shaayad hum bhagvaan ke nazdeek pahunch gaye hain
Shaayad kah raha hun kyonki sachaayi mujhe bhi nahi pata. Pata hai to bas itna ki main ritu ke pyar mein khud ko bhula chuka hun.
The End
 
Back
Top