S
StoryPublisher
Guest
Update 11
"Kuch samajh nahi aa raha yaar... Ki ab kaise usse baat karun... Koi idea hi nahi aa raha dimaag me... Aur dil hai ki maanta nahi... Kuch na kuch to karna padega yaar..." Raj aur Ravi ek garden me ped ke niche baatein kar rahe they... College to wo jaate nahi they...isliye dinbhar ghumte rehte they... Kabhi shopping mall to kabhi multiplex.. Aur nahi to kahin chaudibaazi(Ladkibaazi) me lage rehte they... Unka schedule bhi ajeeb tha... Raat me wo raat bhar padhte rehte aur bas 3 ghante sote they... Unke alawa ye baat kisi ko nahi pata thi ki wo college nahi jaate hain... Maa baap ko bhi unhone ullu banane me koi kasar nahi chhodi thi...
Par ek baat aur thi... Raj ke maa baap nahi they.. Uske maa baap ki mrityu ek car durghatna me uss samay ho gayi thi jab wo raat ko ek party se wapas aa rahe they.. Raj uss samay bahut chota tha isliye use ghar me hi chhod kar gaye they..Uska palan poshan ek naukar ne kiya tha.. Ya yun kah lijiye ki ek manager ne kiya tha... Kyunki wo padha likha nahi tha fir bhi uske Raj ke maa baap ke marne ke baad uska pura business sambhalta tha... Uska kaam bas itna hota tha ki wo office jaakar wahan par sabhi ko jaruri aadesh de deta tha aur baaki ka kaam office ke log sambhal lete they..yun to unka naam "Jaglal Ramkumar krishnakumar cheddi laal paswan" tha par Raj unhe "Jaggu kaka" kehkar pukarta tha..
Bachpan se unhone Raj ko apne bete ki tarah pyaar kiya... Jab uske maa baap mare they to Jaggu kaka sirf 25 baras ke they... Apne chhote maalik ki sewa karne ke liye unhone kabhi shaadi bhi nahi ki... Apne maalik ke liye wo jaan bhi dene ko taiyyar tha.. Aur isi pyaar muhabbat ke kaaran Raj bigad gaya tha...
Halanki use koi buri aadat nahi thi phir bhi jo ladka kabhi college naa jaakar Cinema dekhe aur mall me ghume use bigda hua naa kahen to kya kahen...
Khair wapas apni kahani par aate hain...
Ravi bhi soch me pad gaya ki aakhir wo Raj ki madad kaise kare...
"Abe sun.. Ek rapchik idea aaya hai veere..." Ravi ne uchalte hue kaha...
"jaldi bata jaldi bata..." Raj ne bhi utsahpurvak apn kaan uske muhn ke paas le jaate hue kaha...
"Tu mujhse pyaar kaa naatak kar..." Ravi ki ye baat sunkar Raj chaunk utha...
"Abe gay samjha hai kya...? Saale main tujhe pyaar karun... Mere paas lund nahi hai kya...?"
"Abe kaun si badi baat hai mujhse pyaar karna... News nahi dekhte kya aajkal..? India me gay marriage legal ho gayi hai... Tu mujhse pyaar ka natak karega aur Sneha ko ye baat pata chalegi to phir agar wo tujhse pyaar karti hogi to use humse jalan hogi... Aur wo aakar tumhein propose kar degi... Hai naa mast idea...?" Ravi ne uttejit hote hue apna gay banne ka idea bataya...
"Abe ghanta idea hai.. Pata nahi tere iss chutiya dimaag mein kaisi kaisi baatein aati rehti hain... Gay banayega mujhe... Chutiya kahin kaa..." Raj ne muhn banate hue kaha...
"Abe sale.. Muhn kyun bana raha hai... Waise bhi hum dono har jagah saath hi jaate hain.. Aur ab dekho jahan saare premi baithkar pyaar bhari baatein karte hain.. Hum bhi wahin baithkar do premiyon ki tarah baatein kar rahe hain...Ped ke niche.. Pyaar bhari baatein.. To hue naa hum gay..hahaha..." Ravi ne thahaka lagate hue kaha...
Par Raj ko abhi kuch bhi achcha nahi lag raha tha... Uske Dimag me to bad Sneha..sneha ki dhunn baj rahi thi..
"Band kar mazak yaar... Aajkal mazak nahi achche lagte.. Please kuch badhiya sa idea de.." Raj ne vinti ki...
"Main to kehta hun..ki jaakar pure college ke saamne use I love You bol do... Aur ek jor ka chumban uske hothon par jadd do..." Ravi ne phir bina soche samjhe jawab diya...
"Haan... I love you bol dun... Aur shahhed ho jaaun... Saale tune use kisi aire gaire ki beti samajh rakhkha hai kya...? Thakur khandaan ki eklauti beti hai... Jaan se marwa dega mujhe mera hone wala sasur..." itni darawni baat bolte hue bhi Raj use apna sasur bolna nahi bhoola... Use puri ummid thi ki wo kaise bhi Sneha ko jarur pata lega... Chahe iske liye use apni classes hi kyun na attend karni pade... Jo kaam usne kabhi nahi kiya hai wo bhi kyun na karnaa pade... Aur ant me usne ek faisla le hi liya... Ki wo kal college jaayega...
To be continued.....