• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Fantasy AJNABEE 2-THE RISING(Completed)

"papa se bol na ek bike khareed de.hadh hai"shiksha irritate hote hue boli

"Papa ki bhi majboori hai shiksha dono bhai behen ki school fees,tutions,teri tennis coaching ki fees.kahan se layenge aur paisa??"yug cycle ka chain theek karne me laga raha

"Tu to papa ki zabaan bol raha hai??ghoos to nahi diya na unhone??ya pocket money badha di??"shiksha haste hue boli

Yug gusse se shiksha ki aur dekh raha tha.lekin ek nazar ne use muh ke bal girne par majboor kar diya
Monica cycle chalakar a rahi thi.

"Are Monica didi??cycle kab li??kam se kam scooty to le li hoti"shiksha boli

"Ahem.....wo mai....umm....m maine socha thoda work out bhi ho jayega isse,tum to cycle dekh chuke ho yug??? "Monica boli

"Ye sahi hai.koi majboori me cycle chala raha hai.koi work out ke liye.khair mai chalti hoon guys.tu Monica ke saath ghar a jaana bhaiya"bol daudte hue shiksha chali gayi

Monica bas yug ko dekhe ja rahi thi.baal bikhre hue the.handsome sa shaks jise Monica ke paas hone ka bilkul bhi eksaas nahi tha.bas kaam me laga hua tha

"Well well dekho koun hai yahan??"sahil apna bike thamata hua bola

Saath me kuch aur bikes bhi ruk gaye.sahil ke bagal me ek ladki baithi thi.bhadkile kapde pehen kar jism ki numaish kar rahi thi.yug ne dekha fir ignore kar diya.aur apna kaam karne laga.kuch hi der me chain wapas lag jayegi aur fir wo ghar ki aur chala jayega.asha bua ne aaj bahar khane ka program banaya hai use miss nahi kar a chahta tha yug

"Sahil you know that we are done.fir kyun baar baar tang kar rahe ho mujhe"Monica boli

"Kyunki tumne abhi tak reason nahi bataya tha Monica ki tumne mujhe ditch kyun kar diya,khair isse milo ye hai poonam.hai na tumse hot??"bol sahil hasne lagi gaya aur baaki sab hasne lage

"Ab hotness ke adhaar par ladkiyon ko certificate mil raha hai kya??"yug ne apna kaam karte hue uthkar kaha.cylce ki chain lag chuki hai.ab jaana chahiye

"Zara muh soch samajh kar khola kar saale pata nahi kiske saamne baat kar raha hai"sahil bike se utarkar bola

"Soch samjhkar kar hi bol raha hoon"yug bola

"Teri to..."bol sahil ka ek dost daudkar yug ki aur lapka

Swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh

Pehle daaye haath se fir baaye haath se do punch maara us shaks ne yug ke liye koi badi baat nahi thi.

THAKKKKKK

ek halke se vaar pet ke khaas jagah par laga.aur sahil ka wo dost zameen par chhatpatane laga

Monica ka muh khula reh gaya.usne socha bhi nahi tha yug ek fighter hoga.monica ko aisa dekhkar yug ne kuch socha .tabhi sahil khud a gaya ladne

DHADDDDD.

ek laat ne yug ko door fenk diya.

"Yugggg"daudkar Monica yug ke paas gayi

"Thik to ho na tum??"Monica ne poochha.yug ne haan me sar to hilaya

"Problem mujhse hai na??to mujhse lado"bol Monica ne apna fighting pose le liya.yug lete lete sab dekh raha tha.uthkar baith gaya aur Monica ko ladte dekhne laga

"Oh khwahish poori kar dete hai"bol sahil aur uske dost lapke Monica par

Lekin Monica ka vaar jhelne ki taqat nahi thi becharo me.aur yug par kiya gaya vaar ne aag me ghee ka kaam kar diya.monica ka vaar gusse se bhara hua tha.iska natija..

"Arey bhago re.sahil ne kis musibat me fasa diya damn it."bol sab bhagane lage

"Y ye abhi khatam nahi hua.iska nateeja acha nahi hoga Monica"bol sahil bhi bhaag gaya

"Acha ladi tum.mai to sapne me bhi aisa kar nahi sakta "yug bola

"Idiot??kya zaroorat thi meri wajah se ladne ki??agar kuch bura ho jata to??"Monica ne chillate hue bola

"Mai to bas..."yug ne bolne ki koshish ki

"Bas kya haan??dekho kitni chot aayi"bol Monica yug ke chot ko apne hanky se saaf karne lagi.hanky ki perfume yug ko madhosh kar rahi thi.

"Waise tum yahan??"yug ne chuppi todne ke liye kaha

"W w wo bas..wo mai....kyun??meri marzi mai jahan jaun jaise jaun meri marzi"Monica boli gusse me.jab koi jawab na ho to gussa hi sabse bada hathiyar hota hai

"Mujhe laga kuch kehne aayi ho"yug uthte hue jaane laga

Haan Monica bolna chahti thi.lekin hont bandh the pata nahi kyun.kyun yug ke saamne kuch nahi bol paayi??kyun uske saamne aate hi kuch nahi keh paati

"Ok chalta hoon Monica bye"muskurakar yug chala gaya

Monica bas use dekhti rahi.kab wo din aayega jab wo apne dil ki baat batayegi
-------------------------------------------------------------------
Yug ghar ki aur ja raha tha.ki Achanak call aaya usko

"Bhaiyya"shiksha ke rone ki awaz aayi

"Kya hua ro kyun rahi hai shiksha??"yug ne cycle rok kar poochha

"Papa...."shiksha sirf itna bol payi.roye ja rahi thi bas

"Kya hua papa ko"yug ke dil ki dhadkane badhne lagi

"Accident.....tum yashoda hospital pohuncho"rote rote shiksha boli

Yug toofan ki tarah hospital pohuch gaya.jahan poly,asha, shiksha aur prakash the

"Kahan hai papa??"roti aankhon ke saath yug bola

"Ander.ja dekh kar a"poly bolt.bohut royi hai shayad.aankhen laal hai

Yug rote rote ander gaya.aur harish ke paas jakar baith gaya aur ek haath pakadkar rone laga

"Yug??"harish ne dheere se kaha

"Beta tu ghar ka bada hai.agar tu himmat haar jayega to kaise chalega,mai thik hoon thodi chot aayi hai lekin wo thik ho jayegi,tu bas apni maa aur behen ka khayal rakhna"apna haath yug ke sar par rakha harish ne

"Abhi jao tum.patient ke rest ka time ho gaya"nurse ke bolte hi yug dheere dheere bahar a gaya

"Haan ruko,car no DH56113 ok.pakka yahi gaadi thi jisne takkar maari??thik hai"harish ne phone kaat diya yug ko dekhkar

Car ka number sunkar yug ka khoon khaulne laga.bas raat ka waqt jald se jald ho jaaye bas.us accident karne wale jo aasman aur patal se bhi dhoond nikalega yug
 
"aur chammak challo idhar to aana"ek 43 varshiya aadmi red light area ke ek kothe me aurat ke saath tha

"Chodd saale,pehle to hafte me ek baar aata tha,ab har din a raha hai??kya baat hai lottery lag gayi kya??"aurat ne poochha

"Yahi samjho seth ne paise diye the ek aadmi ko udane ke liye,lekin saala bach gaya"sharab ki botal aur us aurat ko baahon me lete hue shaks bola

"Kitne paise mile the??"ek awaz ne chaunka diya dono ko

"Koun hai??"aadmi ne poochha

"Mujhe kya pata ??"aurat ne darte darte poochha

"Maine poochha kitne paise mile??"aadmi ka collar pakadkar yug bola

Kab saamne a gaya achanak se us shaks ko samajh me nahi aaya

"KYAAAAAA??YE TU ANDER KAISE AAYA???AUR KOUN HAI T....."

DHADDDDDDD

aadmi chitakkar door ja gira

"Y y ye wahi hai jo akhbaron me chaya hua hai.khooni hai ye jaan leta hai sabki"aurat apne kapde pehente hue bhaag gayi

"Hmm teri chamiya ne sahi suna"yug bola

KHACHHHHHHHHHH

"AHHHHHHHHHHHHHHH MAT MARO MAINE KUCH NAHI KIYA MAINE KUCH NAHI KIYA"gala

kunai ghasti chali gayi us aadmi ke jaangh me

Yug chup raha aur apne pair ke joote ki nok us aadmi ke seene par rakhkar bola

"Naam aur pata"yug ne poochha

"Batata hoon batata hoon.wo..."

KHACHHHHHHHHHHHH

door se aayi ek teer ka nishana bana us shaks ke gala.

"AHHHHGGGGG"gala pakadkar wahi dher ho gaya wo shaks

yug ne peeche mudkar dekha.khidki ke glass ko todti hui wo teer kahin se chalaya gaya tha.zahir hai chalane wala bhi pehchan wala tha.

Sura ne apna dhanush wapas kandhe par rakh diya
"Abhi tak itne kabil nahi hue ho jo mera Saamna kar sako"man hi man kaha sura ne.aur saamne ki aur chal pada.lekin do teen pair aage badhaye hi the ki thithak gaya.saamne ek shaks khada tha wahi mask wala shaks

"Us din sabak nahi mila jo dubara a gaye?"sura bola

"Mujhe is shaks na naam chahiye jisne accident karwaya tha"yug bola

"Pehle mujhse to bach le fir baat karna"sura bola

SWOOOOOSH SWOOOOOSH

yug baal baal bacha.iski shakti iska dhanush hai.lekin dhanush kaafi strong hai.is par kai vaar kiye the yug ne.lekin fayda nahi hua

"Is dhanush ke baare me soch raha hai??iska tu kharoch tak nahi laga sakta"sura hanskar bola

"Mai jaanta hu "bol shuriken hawa mu uchal diya yug ne

SWOOOOOSH

KAT

"Y y ye to mere dhanush ki dor toot gayi"sura bola lekin tab tak

DHADDDDDDD

[color=rgb(179,]Ek punch sura ke kandhe par pada.aur chitakte hue door ja gira wo.lekin fir foorti ke saath khada bhi hua wo aur apne hont ke khoon ko pochne laga

"Dhanush ka to pata nahi lekin fir kamzor hai"sura bola[/color]

"Not bad.aaj tak mere saamne itni der tak koi nahi tika, congratulation tune sura ko takkar di hai"sura bola aur dhanush ke ek sire se doosre sure ko chu liya.aur dhanush fir taiyyar ho gaya

Swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh

Teero ki bauchar ho rahi thi.aur yug ke liye mushkil ho rahi thi unse bachana

KHACHHHHHHHHHHHH KHACHHHHH

Do teer yug ke pet me aur pair me ghans gaye.aur yug isi ke saath gir pada

Swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh

KHACHHHHHHHHHHHH KHACHHHHH

Do teer aur lage usko.lekin muh se ek awaz bhi nahi aayi.

"Ha ha bas thodi der tak aur khel ke dost fir sab khatam"bol sura apna dhanush taiyyar karne laga.lekin ek nazara dekh uski aankhen badi hoti gayi

"Y ye to ye to.....y y ye mask jo tune pehna hai ye sadharan sa mask hi hai na??"sura ghabrate hue bola

Yug chup tha.lekin mask ajeebogareeb tarike se chamak rahi thi.aur apna rang badalne lagi.yug ke sharir me ghanse teer apne aap bahar nikalne lage aur ghaav bharne laga

Swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh

ghabrate hue sura ne do teen teer chala diya .lekin tabhi

"Ye ye ye impossible.aisa aaj tak aisa nahi hua ki..."sura apni baat poori nahi kar paaya .yug ne hawa me hi teer pakad liye the

Swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh

Sura ne dar ke maare do teer chodd diye.

Swooooooooooooooooooooooooooshhhhhhhhhhh

Swooooooooooooooooooooooooooshhhhhhhhhhh

Yug ne do shuriken usi disha me chodd diye

Sura ke fati fati aankhon ke saamne yug ke shuriken ne teero ko hawa me hi kaat apna raasta sura ki aur bhadhate hue....

KHAAAAAAAAAACHHHH KHAAAAAAAAAACHHHH

"AHHHHHH"ek aur shuriken kandhe ko aur ek seene ke ande se hoti hui bahar nikal kar paas diwar me ghans gayi

DHADDDDDDD

ek punch fir se kabse par padi aur sura ke hont fat kar khoon se bhar chuki thi

DHADDD

Ek aur punch naak par aur naak bhi fat chuki thi.chehra poora khoon se nahaya hua tha sura ka

"B batata hoon batata hoon"sura bola
Aur fir tote ki tarah sab batane lag gaya
-------------------------------------------------------------------
"Uff bas karoge tum dono ka jhagda"poly bol padi.harish lagbhag thik ho gaye the.aaj discharge ka din tha aur yug aur shiksha me jung chidi hui thi ki asha bua se saath kaha jaana hai

Tabhi prakash a gaya.

"Are prakash aao aao, achanak abhi??"harish ne poochha

"Aapse akele me kuch baat karni hai"prakash bola

"Thik hai aap log baatein kijiye,aao bachhon aao asha"bol poly sabke saath nikal gayi

"Accident se pehle kya hua tha harish bhaiya??"prakash bola

"Kuch nahi prakash bas shayad meri hi galti thi ki raasta galat tarike se Cross kar raha tha"harish bola

"Agar aap kuch batana chahte hai to bata sakte hai bhaiya, police aapki poori madad karegi"prakash bola

"Thanks prakash lekin usme police kya karegi jab galti meri hi thi??"harish bola

"Thik hai apna khayal rakhna"bol prakash uthkar chala gaya

Prakash ke jaate hi harish ne lete lete aankhen band kar li
 
"sir aapse milne koi aaya hai"peon ne harish ke desk ke paas aakar kaha

"KOUN??"harish ne poochha

"Pata nahi sir.bol raha tha aapse hi poori baat karenge,apni identity nahi batati unhone"peon bola

"Hmm thik hai chalo"bol harish uth khada hua aur office ke bahar aaya
Dekha to kuch log khade the bahar aur ek buddha tha unke saath

"Mr harish mr harish.kaise hai aap??"bol buddha harish ke gale lag gaya

Harish ne pehchana nahi us buddhe ko.lekin fir bhi zabardasti gale lagaya buddhe ko

"Yahan baatein nahi hongi.chaliye achi jagah chalte hai"bol buddhe ne ishara kiya aur uske saath aaye log ne raasta banakar bahar gaadi ka darwaza khola

"Pehle aap"bol buddhe harish ke peeche peeche baith gaya
Ek cigerette nikal kar packet harish ki taraf badha di

"Sorry i don't smoke,waise kis baare me baat karni thi aapko??"Harish bola

"Driver le chalo jahan tay hua tha"driver ko bol buddha cigerette Peeta gaya.harish k sawal ka koi jawab nahi diya

Gaadiyan ek night club ke paas aakar ruki.aur waha buddha aur harish utarkar ander gaye

"Hmm ab baat saaf saaf karni chahiye,harish ji aapko to pata hai ki jo zameen aapke paas hai aap use kisi bhi halat me bechenge nahi.to ek offer socha bata doon aapko.aapke makan ke saamne wala same to same plot aapke naam ho jayega aur noida me ek nayi chamchamati 18 floor ki building aapke naam ho jayegi.kya kehte hai aap??"buddha bola

"Dekhiye mai pehle bhi jo bol chuka hoon sabko wahi aapko bhi batana chahta hoon.wo zameen meri nahi hai.meri wife ki didi ki hai.aur unki zameen par unke bete ka hi haq hai mera nahi.jab wo poori tarah balik ho jayega to mai use uski property de doonga"harish bola

"Arey choriye aaj ke din koun kya yaad rakhta hai.aapki beti ka future soch lijiye.wo usa ya kahin bhi padhna chahe hum saara kharcha uthayenge.bas wo zameen hame de dijiye"buddha bola

"Dekhiye mera waqt ja raha hai.mujhe wapas duty par report bhi karna hai"bol harish uthkar jaane laga

"Soch lena Harish ji.zindagi ka koi bharosa nahi.aaj hai........kal kya pata??"sharab ki glass apne honto par laga kar budha muskurate hue bola

Harish ne aankhen kholi.hospital se nikalne ka waqt ho gaya.yug aur shiksha ka jhagda abhi bhi sunai de raha tha unhen.poly samjha rahi thi unhen.asha maza le rahi thi in sab ka
In amiro ke khilaf prakash ko kuch bhi bolne se koi fayda nahi
Paise se sabka muh band kiya jayega aur imandar prakash dhakke khata firega.is musibat ka koi ilaaj nahi hai
-------------------------------------------------------------------
"Not bad not bad rashmi lekin tu aur bhi acha kar sakti hai"rashmi ki saheli shivani boli

Rashmi thoda udaas thi.yug aajkal kuch zyada hi intense ho raha tha.ek baar bhi dhang se rashmi ki taraf nahi dekhta tha.aur ye shivani hai ki bas doosre topic par baat kiye ja rahi hai

"Ruk mai tere liye kuch karti hoon"bol shivani idhar udhar dekhne lagi.saamne se aata hua yug dikhai diya use

"Hey yug,yug......"shivani jitna zor se ho sakta tha chillai

Rashmi chaunk padi.yug ko kyun bula rahi hai shivani.damn it damn it damn it

"Are shivani bol??"yug ne poochha

"Yaar ek help kar dena.dekh rashmi ka na mathematics bohut poor hai.kuch help kar de na uski"shivani boli

"Haan thik hai lekin rashmi ne khud kuch nahi kaha"yug hairan hote hue bola

"Arey baba usne socha hoga ki tu kya sochega isliye nahi kaha tujhse.lekin you are too good on maths."Shivani boli

"Arey nahi ye to pagal hai aise hi bol rahi hai.jaane de yug"rashmi boli aur ghoorne lagi shivani ko

"Koi baat nahi rashmi mai thoda bohut time nikal lunga iske liye,bye"bol yug aage badh gaya aur rashmi yug ko jaate hue dekhne lagi

Tabhi ek call aaya yug ko.usne phone uthaya

"Yug....yug......"jerry ki awaz a rahi thi

"Jerry ???kya hua??kahan hai tu??"yug ne poochha

"Hospital me"jerry bola

"Kya??kya hua??"yug ne poochha

Iske jawab me jo jerry ne bataya use sunkar yug class me na jakar hospital ki aur apne cycle ka rukh kar serious hone laga
------------------------------------------------------------------
KISI ANJAN JAGAH PAR
"Chal na dinner karte hai kaafi der ho gayi"ek shaks ne doosre shaks se kaha

"Lekin hame to isko guard karna hai"doosra shaks bola

"Abey koi nahi aayega 1 saal se ye shaks bandi bana hai haath pair bandhe hai aur poora sharir barf me hai.chal chalte hai"pehla shaks bola

"Dark clan ko chunauti dene aaya tha"muskurate hue doosra shaks bola aur dono khana khane nikal gaye.lekin kuch hi der me pehla shaks a gaya aur usne ek lever dabayi

KARRDDDDDDDDDDD

ke saath saare bandhan khul gaye us shaks ke

"HAIYAAAAA"

KHATTTTTTTTTSSSSSSSS

barf ko apne kick se tod dala pehle shaks ne.barf tootne ke baad kapdo me lipta ek shaks tha.

"Aane me der ho gayi sir.maaf kar dijiye"bhavuk hokar pehla wala shaks bola aur apne kandhe par lekar gayab ho gaya
 
"master "bol ek shaks apne kandhe se ek shaks Ko neeche utar kar door khada ho gaya

"Hmm bohut torture hua is par......aur iski behen??"sasuka bola aur us shaks ki aur dekhne laga jo is shaks ko lekar aya tha

Jawab me us shaks ka sar jhuk gaya.aur wo chupchap khada raha.

"Aisa kaise chalega Sasuke sir??us ladke par nazar rakhkar koi fayda nahi.sirf apne parivar ke baare me sochne wala ek ninja nahi ho sakta hame doosre options dekhne honge"ek ninja bola

"Apna muh band karo tum"sasuka chilla utha

"Baat ek tarike se sahi keh raha hai ye,hame lead koun karega??doosre clan kitne aage badh gaye aur hum??"aur ek ninja bol utha

Baat sahi hai.ninja ab khulkar saamne aane lage hai.haan giravat zaroor hui hai vaardaat ki.lekin poori duniya me saare khoon,jokhim bhare kaam,aur aise mission jise koi aam insaan nahi kar sakta wo ninja karta hai.sab clan ke leaders hai.sirf ye red clan ka koi leader nahi hai
Ek badnaam clan ko koun lead karna chahega??sabke kam ninja isi clan me hai.kai clan chor chuke hai,naye ladke nahi a rahe hai.aisa kaise chalega??yug ka bachpana har din badhta ja raha hai

"Yug abhi bachha hai wo lead nahi karega clan ko,abhi hamare paas ek hi raasta hai"sasuka bola

"Kya?????nahi wo aurat nahi please pleaseeeeeeeeeeeeeeeeee"afra tafri mach gayi charo aur.sasuka apna sar pakad kar baith gaya.kya hoga is clan ka

"Uhh"ek awaz ne uska dhyan apni aur kheecha

"Liliana?? Liliana???"charo aur dekhne laga wo shaks

"Sir"jis ninja ne use dark clan ke kaid se chudaya usne apna haath us shaks ke kandhe par rakha

"Akkk......."aansu foot footkar nikalne lage us shaks ke chehre se

Saare ninja ek pair ko modkar baith gaye aur apni apni talwar zameen par dalkar shok manane lage.

"Dark clan ki barbadi mere haathon hogi"shaks bol khada hua

"Wo ladka yug nahi aaga??sabko meeting par bulaya tha"red clan ka ek vriddh bola

"Wo.....wo..... actually....."sasuka jaan se yug ko bachana chah raha tha

"Rehne do.bachhe ko missions dete rahoge to yahi hoga,abhi ke liye uske missions band kar do"vriddh bola

"Lekin ..."sasuka ne bolna chaha lekin uska muh sab ke ghoorte chehre ko dekh band ho gaya
Waise yug ko poochha hai ki kya wo mask pehenkar hi training kar raha hai ya bina pehne
Agar bina pehne training karta hai to ghor anarth ho jayega
-------------------------------------------------------------------
Yug seedha school pohuncha aur bartein ke paas gaya
Mickey aur bartein pattiyon se bandhe hue the

"Hamari galti nahi hai yug....wo log aakar hame isliye pitkar chale gaye kyunki hamne ground khali nahi ki.ground kisi ki nahi hai.lekin wo log aisa rob dikhate hai jaise ground unhi ki hai"jerry bola

Yug ka gussa badhne laga.bina kuch bole waha se nikal gaya wo.aur shaam hote hi mask pehen kar nikal gaya ground ki aur.

Kuch local ladke football khel rahe the wahan
Yug wahan jaakar uchhalte hue football ko apne pair se rok use apne pair ke nok par nachane laga

"Koun hai be tu??yahan kya kar raha hai??"ek ladke ne poochha

"School ke ladko ko tum logo ne maara ??"yug ne football ko nachate hue poochha

"Haan maarkar hospital pohuncha diya.agar tu waisa nahi chahta to bhaag ja"ek aur ladke ne bola

"Mujhe marega??"bol yug ne football ko ek kick diya

THADDDDDD

footbal us ladke ko hawa me uthakar door fenk diya

"Teri to"bol doosre ladke ne ek punch maara yug ko

THAPPP

yug waise hi khada raha.us punch ka koi asar nahi hua uspar

DHADDDDDDD

yug ke ek punch ne us punchha maarne wale ke jabde hila diye aur kuch daant tootkar nikal gaye

"Mummy"bol wo shaks aankhen badi badi kar apne toote daant ko dekhne laga

KHATTTTTTTTT

ek laat ne usi ladke ko door fenk diya.baaki ladke use dekh bhaagne lage

Yug bhi uske peeche jaane laga.tabhi.....

"RUKO"

Peeche dekha yug ne Monica khadi thi.aur fighting pose me a gayi

"Hat jao raaste se ladki.aaj mere samne jo ayega wo khatam ho jayega"yug bola

"Hah darana kisi aur ko.mai tum jaise khooni se darne wali nahi hoon"Monica boli aur daudkar kalabaazi khaate hue apne pair ko poore zor se yug ke sar par maara

Yug waise hi khada raha

"Ladki "bol yug ne Monica ka gala pakad liya aur uske haath dabne lage

"Akkk........"Monica ka chehra laal ho gaya aur chhatpatane lagi.

Yug ka mask chamakne laga apna rang badal laal hone laga.
Saath hi mask ka aakar badalkar insan ki khopdi jaise hone laga

"Sorry.....yug........is..is ...janm....me .....hamara pyaar adhoora hi reh jayega"Monica ke muh se itna hi nikla ki yug ko ek jhatka laga aur usne Monica ka gardan chodd diya aur hadbadakar bhaag gaya

Monica neend ke aagosh me chali gayi.

-------------------------------------------------------------------
Subah subah yug flowers lekar hospital ke ander aaya aur fir reception se pooch ward me daakhil hua

Monica apne doston se baat kar rahi thi.yug ko dekhkar uske dost muskurate hue aankh markar nikal gaye

"Kaisi tabiyat hai abhi"yug ne poochha

"Doctor ne kaha thik hoon,bas aaj yahan rehne padega.wind pipe me thodi problem hai"Monica boli aur yug ki aur dekh muskurane lagi

Yug ko apne upar gussa aane laga.kaose kaise wo Monica par haath utha gaya??aisa kya ho gaya tha ki apna aapa kho gaya tha uska

Tabhi uski nazar ward boy par padi jo Monica ke peeth ki aur dekh raha tha jo thoda sa khula tha

Bijli ki tarah yug waha gaya aur uska collar pakadte hue use ghoorne laga

"Kya dekh raha tha saale"gurraya yug.ward boy dar ke maare kaampnr laga

Yug ke aankhon me aag dhadhak rahi thi.uska chehra mask jaise badal raha tha.monica ko wo sab nahi dikh raha tha kyunki yug ki peeth uski aur thi

"Yug chodd do us mar jayega wo..yug please yaar"Monica guhar laga rahi thi

Lekin isse pehle yug ya monica kuch kar paate ward boy behosh ho chuka tha
 
Hello bro.....
So now I am here for my first review on your this thread.....

So first of all.....thank you for giving us a very beautiful and thrilling story to read.....thanks.....

And now for the plot....
Starting me mujhe laga ki ye bilkul aapki pichle story or iss ke first part ki tarah hogi....kyoki iske me 1....2 updates me hero ko ajnabee ke hero ki tarah hee dikhaya gaya tha.....
Wahi daba hua.....logo ke taano or julmo ka shikar ak kamzor aadmi.....

To ye sab dekh kar.....Mujhe laga ki ye.....ak sequel hai....OR isme bhi uski ki tarah ka kuch dekhne ko milega.....

But....I was wrong.....jaise jaise kahani aage badhti gayi.....waise hee plot khulta gaya.... ye ak story Cum mission lag raha he hero ka....
Story jaise jaise aage badhti gayi plot waise hee bahter hota gaya...mai

Now for the story....
Hero ka role ak dum perfect hai....abhi bhi usme kuch kamina hai...jise ki wo dhire dhire dur kar raha hai....
Itna kuch Sikh lene par bhi.....abhi bhi wo har chij se sikhne ki koshish kar raha hai....
Baaki ke ninjas ka character bhi kaafi achcha se dikhaya gaya hai....
OR ninja fighting ko bhi kaafi achche se explain kiya gaya hai....

Main villain....jiski ki bas ak hee jhalak hee dikhai gayi hai....lagta hai kaafi damdar hai....

At last
Very good story with nice plot
And all ingredients like....action....drama....thrill..mai. suspence all....

Dekhte hai aage kya Hota hai....
Thanks...

And one more thing....
Aap apni hai start ne ak sawaal hamesha daalte hai....ki MAIN HEROINE KON HONI CHAHIYE....
mere hisaab se iss story me heroine ka koi matlab nahi hai.....ha use chahne waale bahut he... lekin koi bhi uski lev3l ka nahi.....

OR ha sb se iss thread par regular reviews post karunga....
Once again...
Thanks
 
"aur isi ke saath ohm's law...."

Physics ka class chal raha tha aur saare students gaur se padh rahe the.aur notes le rahe the

"Wo dekh wo raha yug"ek student ne kaha aur paper ka rocket bana uthkar yug ke upar maar diya

Yug ne us paper ko uthaya aur usko haath me hi daba liya aur mudkar dekha

"Ha ha dekh kaise dekh raha...."baat halal me atak gayi.ek bhayavah chehra dikha us ladke ko yug ke chehre ki jagah.peela pad gaya wo aur chupchap baith gaya

Na kisi se batchit na hasna aur na hi apne dosto se milna
Yug ne aaj apne baal ko saamne ki aur kar diya.aankhen baalon se dhaki hui.shirt ke button khule hue aur cuffs chade hue
School ke bahar a gaya yug

Rashmi ka dil zoro se dhadak raha tha.yug uski aur hi a raha tha

"Yug...tum..y y yahan.??"rashmi ka chehra yug ko dekh laal ho gaya tha

"Hi rashmi"yug bola aur upar se neeche tak rashmi ko dekhne laga
Rashmi ke skirt kaafi chote the.yug ki aankhen wahi atak gayi

Rashmi sharma ke laal ho rahi thi.uska dil zoro se dhadak raha tha.

Tabhi yug ka phone baj utha

"Hello??"yug ne phone uthaya aur rashmi ki dekh kar shararat ke saath muskuraya

"Sasuka bol raha hoon.yug us mask ke baare me baat karni thi.koi problem to nahi ho rahi hai na usse??"sasuka ne poochha

"Problem??wo kya hota hai.acha bore mat kijiye bye"yug ne phone rakh diya aur ek flying kiss rashmi ko dekar cycle chala kar apne ghar pohuncha

Udhar sasuka soch me pad gaya

"Kya soch me doobe hue ho??"master yani red clan ke master ne poochha

"Master lagta hai yug...."sasuka chup ho gaya

"Poori baat"master bola

"Uske paas master ahru ka m mask h hai shayad"sasuka nazrein jhukakar bola

"Kya???ye mujhe ab bata rahe ho??utho abhi"master uthkar khada ho gaya

"Kya hua master??"sasuka ne poochha

"Abhi ke abhi india jaana hai "master bola aur hakka bakka dikh rahe sasuka ko lekar chalne laga

"Waise mask ke baare me thoda bohut suna hai master,wo master ahru..."sasuka bolte bolte master ko dekhkar ruk gaya

"Mask of death"master bola

"Kya??"sasuka uchal pada

"Kai sadiyon pehle hamare hi clan ki sthapna jisne ki"master bola

"Yani jisne red clan ko janm diya"sasuka bola

"Bilkul aur us ninja ne hi red clan ka ek gaon basaya tha.uske pass kai shaktiyan thi.aur use darr tha ki shaktiyan kisi galat haathon ne na chali jaaye."master bolte bolte ruk gaya

"Usne apne meditation ko ek mask ka roop de diya.aur is mask ko generation ke bad generation ko pass kiya gaya.jisne bhi ye mask pehna uske paas apar shaktiyan thi.aur unhone us mask ko control kar bade se bade ninja ko haraya.har ek ninja ise apne shishya ko deta jo fir ek samay ke baad apne shishya ko deta tha.aise hi ek ke baad ek hote hue master ahru ke paas pohuncha ye mask"master bola

"Samjha lekin fir to is mask se koi problem nahi hona chahiye us bacche ko"sasuka bola

"Mask ki taqat agar us ladke se zyada hui,ya agar us ladke ne us mask par kaabu nahi paya to wo mask us ladke par kaabu pa lega,aur us ladke me dabi hui uski saari negative character ko saamne layega,sahi waqt par nahi roka gaya to wo waisa ban jayega jaisa wo nahi banna chahta "master bola

"Jaldi kijiye fir "sasuka bola aur car ki speed badha di

"Ek baat aur boli hai sasuka"master bola

"Boliye master"sasuka bola

"Ye mera akhiri mission hoga,jald se jald tumhe naya master dhoondna hoga"master aankhen band karte hue bola

Sasuka master ko dekhne laga.uske dimag me bohut kuch chal raha tha
-------------------------------------------------------------------
"Sab kuch to le liya ,tum logo ko kuch lena hai shiksha??yug??"poly bolu

Mahine ka pehla din tha aur poly apne bachhon ke saath mall me aayi hui thi.

"List ka saara saman to le liya"plot ne ek baar fir chek kiya.yug chup chap idhar udhar dekh raha tha aur kuch bole bina wo aur shiksha kaafi door a gaye the.aur mall ke bahar a gaye the.halka sa sunsaan tha jagah bas do ladke khade the

"Wo dekh kya maal hai,ekdum tight"ek ladka shiksha ko dekh kar bole.

Yug wahan gaya aur ek ka collar pakad kar bola
"Kiske baare me bol raha tha??"

"Abey hat jaanta nahi mai koun...."

DHADDDDDDD

yug ke ek punch ne us ladke ko udakar door fenk diya aur wo wahi behosh ho gaya

Doosre ladke ko koi mauka milta isse pehle hi

THADDDD

ek kick ne use bhi behoshi ke duniya me pohuncha diya

"Bhaiyya kya hua??"shikha awaz sunkar daudkar aayi

"Hua ye ki aise chote kapde pehenkar apni nabhi aur pair ki numaish karegi to ye aise hi maar khate rahenge,sharm bech khayi hai ya pocket money kam pad rahe hai to apna jism bhi bech aati hai"yug bola

"BHAIYAAAAAA"gurraya shiksha.aur rote hue yug ko dekhne lagi.aaj tak yug ne itne kadwe bol kabhi nahi bola.chi ghinn aati hai usse ab
Shiksha apna chehra dhakte hue bhag gayi poly ke paas

Yug ko koi fark nahi pada.tabhi use door se esha dikhai di jo ek ladke ke saaththi

"Hi esha"yug esha ke paas jakar bola

"Hi yug"esha boli.pata tha use ki yug ne bartein aur uske chamcho ki kaise dhulai ki
Tab se yug ke aas paas ghoom rahi thi.aaj mauka mila use

"Ekdum hot lag rahi ho"bol yug ne apna haath esha ke kamar me rakh diya

"Abe o ye meri gf hai" uske saath wala ladka bola

Yug ne uska collar pakar utha diya zameen se

"Choro use yug uff mai kehti hoon choro use"esha boli

Yug ne use chor diya aur esha ke chehre ko pakda aur

Muaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhh

Ek kiss jad diya aur chala gaya.esha roti rahi.us ladke ne esha ko sambhala

"You will pay for this you bastard"esha ke saath wala ladka bola
 
Monica se milne yug ja raha tha.monica ne bulaya tha kuch kaam tha

Tabhi use sadak kinare ek bheed dikhi.yug bheed ke paas gaya aur usne bheed ke beech me ek laash dekhi uske aaspaas uski biwi aur jachhe ro rahe the

"Ro mat maa wo nahi aayega.use sirf apna matlab poora karna tha" ek bacche ne ro rahe apni maa se kaha

"Chup,wo ayega.zaroor ayega aur hame nyay dilayega samjha"rote hue uski maa boli

Yug ko koi fark nahi pada.wo Monica se milne chala gaya

"Ab kya karne aaye ho tum"Monica sahil ko dekh boli

"Maafi mangne.dekho Monica hamare beech break up to ho gaya lekin kuch problems ki wajah se ek doosre se nafrat karne lage hai.isliye mai ye sab khatam kar dosti ka haath badhana chahta hoon"sahil bol apna haath aage badha diya

Kuch sochte hue Monica ne bhi sahil ka haath pakad kar haath milaya
Aur dono hasne lage.monica ne ghadi dekhi yug ke aane ka waqt ho gaya tha lekin wo aaya nahi

Yug to pehle se aaya hua tha lekin sahil ko waha dekha ruk gaya tha
Ye sab dekh
[color=rgb(179,]yug ko dhakka laga.lekin kyun use nahi pata.monica se kuch alag hi lagav tha use shayad.[/color]

"Are yug idhar aao na"sahil ne hanskar awaz lagai to Monica bhi chaunk gayi
Yug chupchap saamne aaya peeche se

"Ek pic lo na hamari"bol sahil Monica ko apne Kareeb laya aur apna mobile yug ke haath me diya

"Costly mobile hai samjhe,chalo isko aise karke aise dabao thik hai??"bol sahil Monica ko pakadkar pose me a gaya.monica uncomfortable feel karne lagi thi

"Yug wo mai...."Monica ne bolna chaha

"Koi baat nahi Monica bura photographer nahi hoon"bol yug ne jhat jhat do teen photo kheecha

"Aap logo ko aapka reunion mubarak ho"bol yug wapas apne ghar ki aur a gaya

Sab ke sab matlabi hai is duniya me.emotions aur bonding ka koi matlab nahi hai.yug ke soch ke saath usne dekha nahi ki uske aankhon ke neeche dark circles pad rahe the.aankhen laal ho rahi thi

Kamre me pohunchkar usne apne kapde badle kisi se baatein nahi ki.mask poori tarah se kaala ho chuka tha aur us kaale mask ko pehenkar yug chal pada fir se lekin
Aaj wo apne mission ke liye nahi balki apne maksad ke liye ja raha tha

"Acha to chalta hoon.kaafi der ho gayi hai Monica"sahil bola

Monica chup thi.yug ka aise jaana use thik nahi laga.lekin pata nahi kyun yug ko rok nahi paayi.

"Are park ke ye saare lights ko kya hua achanak bujh gaye??"sahil bola

Monica ko bhe ajeeb laga.aise kaise saare lights off ho gaye ek saath??are koi to andhere me Khada hai
Monica ke sochte sochte achanak ...

DHADDDDDDD

"akkk........"muh se khoon nikal gaya tha sahil ka aur uska sharir udkar park me bachhon ka jhoola se takraya...

THANNNNNNNNNN

aur niche girte hi shant ho gaya.
Monica ke apna pose le liya

"Aaj tum mere hathon se nahi bachoge hatyare??"Monica bol uthi

"Jo ladki chaar paanch ko ek saath ghumati hai wo hatyara keh rahi hai very funny "yug bola.
Mask ka aakar fir badalne laga aur uske do singh nikal aaye
Monica halka sa ghabra rahi thi

"Kisne roka hai a jao"yug bola aur chup chap khada ho gaya

Monica daudkar aayi aur usne vaar kiye

THAKK THAKK THAKK

yug ne rokne ki koshish nahi ki aur na hi Monica ke vaar ka koi asar hua

"Ho gaya??....ab meri bari........ninja skill 10 punch"yug ne aankhen band ki aur ....

Swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh swooshhhhhhhh
THUPPPPPPPPPPPPP

"Ahhhh"Monica ke muh se khoon nikal gaya aur wo baith gayi.bijli se tez un vaaro ko rokne me kamyab nahi ho paayi

"Tum jaisi ladki ka is duniya se chale jaana hi behtar hai"bol yug ne apna hockey stick ko hawa.me uthaya.monica ne apni aankhen band kar di

Lekin....lekin ......hockey stick hawa me hi atki rahi.....yug use apni aur kheechne laga lekin nakamyab raha

"Ruk jao"ek kadak awaz ne yug ko palatne par majboor kar diya.ek vriddh khade the saath me sasuka tha.vriddh ne ishara karte hi sasuka Monica ke paas gaya aur sahara dekar uthaya use

"Ladki ko kahi surakshit jagah le jao"vriddh bola

"Ninja skill .....earth style mud wall......"bol yug ne aankhen band ki ....

GRRRDDDDDDDDDD

Achanak ek mitti ki diwar charo aur se khadi ho gayi sasuka aur Monica ke
Sasuka chaunka.earth style???yani mitti????ise to bade bade ninja use karte the red clan ke.ye shakti is ladke me kahan se a gayi???

"Bacche is mask ko apne chehre se utaar fenko"vriddh bola

"Oh nahi dadaji abhi abhi to pehenna shuru kiya hai.agar nikalwana hi hai to khud nikalo ye mask mere muh se"yug bola aur khada ho gaya ladne

Monica ko kuch bhi samajh nahi a raha tha us par wo apne hosh bhi dheere dheere khone lagi
 
"red clan is kamzor yug se aage nahi badhega,red clan ko aage badhana hai to is yug ko taqatwar banna hoga"yug bola

"Nahi red clan ko aage badhne ke liye yug chahiye ,ye wala yug nahi"master pose lete hue bola

"Huh dekhte hai"bol yug ne bhi pose le liya

"Ninja skill lotus power"master bola
Aur unke hathon se kuch lotus ke phool nikle jo yug ki aur muh karke tezi se ghoomne lage aur lotus ke pankhudi yug ki aur badhne lage

"Huh ninja skill ....earth style mud wall"yug ke aisa bolte hi dharti fadkar ek diwar khadi ho gayi aur lotus ki pankhudi us diwar me ghans gayi

""Ninja style.......10 kicks"yug ka sharir hawa me ghoomar aur ek ke baad ek karke 10 kick master par barsaye usne

Lekin master ne sab rok liya

"100 kicks"yug ke nafrat bhari aankhon se master ki aur dekhkar bola aur is baar aur tezi se kicks padhne lage master ko

"1000 kicks"yug ki tezi badhti ja rahi thi master ko rokana mushkil ho raha tha ek do baar seh bhi liya unhone

"Yug us mask ke control se niklo"sasuka cheekha utha jo behosh Monica ko thame hue tha

Control??kaisa control??bachpan me hi jiske maa baap guzar jaate hai,bachpan se hi jis par zulm par zulm hota aaya hai
Aaj ek ladki ne bhi dhoka de diya

Mask ke saath saath yug ke kapdo me bhi badlaav a raha tha.uska jeans aur t shirt aur jacket sab kuch gayab hokar poori tarah laal kapdo me change hi gaya

"Earth style .......earth coffin"ek thandi awaz me yug ne kaha

Master ki aankhen badi badi ho gayi......earth cofffin???
Ye ladka ?????

Yug ne apne haatho ko khol diya.aur master ke chaaro aur mitti ka ek sakht roop gherkar ek coffin ka roop le liya

"Ab ye mutthi band karega aur fir sab khatam"master ne aankhen band ki sab khatam

"Ninja skill.....fire style dragon breath"aag ki lapten yug ki aur badhne lagi

"Earth style ....... shield"yug ko charo aur mitti ke gher liya aur aag se bach gaya yug.usne mudkar dekha usi ke umra ka ek shaks khada hai.red clan ka tattoo hai uske gale ke paas
Yani ek aur ninja a gaya is ladai me

"Master aap thik to hai??"ninja ne poochha

"Tumhe kaid se nikle kuch hi din hue hai aur tum is ladai me a gaye??kisse poochhate"master ne us shaks se poochha

"Ek ninja ka pehle kaam apne clan aur apne master ki raksha karna ,ye wahi karne aaya hai "yug bola aur master aur us shaks se ladne ko taiyar ho gaya
-------------------------------------------------------------------
"Yani kaid se bachkar ye ladka red clan me wapas a gaya"kubda bola

"Lagta to aisa hi hai,yahi khatam kar de use??"kaala shaks bola

"Nahi master ne use zinda rakhne ko bola hai,waise mai is ladai ko dekh maze le raha hoon"kubda bola

"Lagta hai jeet jayenge??"kaala shaks bola

"Lagta to nahi hai zyada der tikenge??"kubda ye sab dekhte hue bola

"Hmm lekin hame kya??"kaala shaks bola

"Dimag hai ya ghar chodd aaye ho"kubda bola

"S sorry"sar jhukakar kaala shaks bola

"Ye jo bhi ho sabko harakar agar dark clan ke peeche pad gaya to problem hogi"kubda bola

"To kya abhi chale jaaye ??ladne??"kaala shaks bola

"Nahi pehle dekhte hai ki ladai kab tak aur kis taraf jaati hai"kubda bola

Y
Mask wala ek taraf aur ek taraf wo ninja aur master
Ladai aur interesting hone wali hai.shayad dark clan ko bhi is ladai me na chahte hue shamil hona padega.kubda sochne laga
 
"fire style fire balls"us ninja ne haath se ishara kiya aur aag ke gole nikalkar yug ki aur aane lage

"Ninja skill......earth supreme shield"yug bola aur zameen ka ek tukda dharti se alag hoka yug ko lekar hawa me uthkar tairne laga

Aage ka gola yug tak pahunche se pehle hi zameen se ek haath uthkar use rok deta hai

"Mujhse jeetna namumkin hai ,apni haar maan lo..."yug ke bolte bolte master ne shuriken yug ki aur uchal di

"Hah master bhi laga hua hai abhi tak"yug ne hawa me.hi shuriken rok liya lekin

THAPPPPPPPPPPP

aankhen band kar yug ne apne haath se us ninja ka punch rok liya

"Huh yahi mai chahta tha"ninja bola aur isse pehle yug kuch samajh paata us ninja ka haath laal hone laga aur dheere dheere aag me badalne laga

Yug ka haath bhi mitti me badalne laga .lekin. Tabhi

"Ninja skills.....lotus explosion"master ke haath se kuch lotus yug ki aur lapke yug muskuraya

DHADDDDD

us ninja ko door fenk diya apne vaar se aur un lotus ko hawa me hi rok diya apne haath ke ek ishare se.aur ek chukti bajate hi

Saare ke saare lotus us ninja par barsane lage

BHADAMMMM BHADAMMMM BHADAAAAAAMMM

ninja chitak kar door ja gira.aur buri tarah se ghayal ho gaya.lekin uthkar jaise taise khada ho gaya

"CHENNNN"us ninja ki aur dekhkar master bol pade

"Lagta hai is ladai me thodi bohut madad karni hogi red clan ki,kya kehte ho ??"kubda door se dekhte hue bola

"Aapke dimag me kya chal raha hai aap hi jaane.lekin bohut dino baad ladne ka mauka mila hai ise mai jaane nahi doonga"kaala shaks bola aur uchal kar ladai ke maidan me a gaya

"Ohho ek aur Ajnabee maidan me ???kya baat hai,sab ek saath maroge ya ek ek karke"yug bola

Master bhi us kaale shaks ko dekhkar chaunk pada

"Is ladai me dark clan ko aane ki kya zaroorat pad gayi wo bhi khud zabooza ko aana pada??"master ne us kaale shaks se poochha

"Aam khao ped na gino"zabuza bola

"Ninja skill........earth punch"yug bol pada aur mitti ka ek haath zabuza ki aur badha

"Bachhon ka khel.......ninja skill .......water shield"zabuza ke bolte hi paani ki ek diwar se mitti ka ek punch takraya aur wahi ruk gaya

"Ninja skill...... Water kunai..."zabuza ke bolte hi paani kai chote chaku me change ho gayi aur yug ke samajhne se pehle hi

KHACH KHACH KHACH KHACH KHACH KHACH

chalni ho gayi yug ki body.yug samajh hi nahi paaya itni tezi se ye sab hua.kaise??
Itna taqatwar hai kya ye ninja

Yug ke haath zameen par gaye.
"Earth style......earth burial"yug ke bolte hi zabuza ke pair jad ho gaye.mityi uske poore sharir par chadhne lagi thi.aur isse pehle kuch kar paata mitti uske gardan tak pahunch gayi thi

"Ha ha ab dekh kaise tujhe maarta.......... AAHHHHHHH"yug cheekh utha.kyunki master ka haath uske chehre par tha.
Wo aankhen band karke kuch keh rahe the
Mask yug ke chehre se nikal rakha tha.lekin aise jaise chipka hua ho

"Master ye le..."yug ke haath master ke seene me lag gaya

"AKKKKKK......"master ke.muh se khoon nikal pada paani ki tarah.lekin mask par unhone apni pakad rakhi hui thi

"Ninja skill fire .........blast"Chen ba aur haath se aag ka ek blast yug ko laga aur ise dhakke se mask se alag hokar door ja gira yug aur wahi behosh ho gaya

Master zameen par gira hua tha.chen wahi gaya.saath me zabuza jo ki yug ke behosh hone ke baad aazad ho gaya tha mitti ki kaid se wo bhi a chuka tha.sasuka bhi daudkar aaya
Master mar chuke the
-------------------------------------------------------------------
RED CLAN KE EK KHUFIA JAGAH PAR
baarish zoro se ho rahi thi aur master ke samadhi par phool chadha rahe the saare ninja ek ke baad ek karke

Sasuka aur saare ro rahe the.yug bhi.agar nahi ro raha tha to wo tha Chen
Yug ki baari aayi phool chadhane ki to...

"Ruko ladke tumhari wajah se master ki jaan gayi.kis himmat ke saath phool chadha rahe ho tum??"ek ninja bola

"Bilkul sahi pata nahi ye hamare clan me aaya hi kaise"doosra ninja bola

"Mai to kehta hoon aaj isko yahi khatam kar dete hai"bol ek aur ninja ne yug par hamla kiya ...

THAPPPPP

haath beech me hi rok liya Chen ne.haath uthane wala ninja chaunk pada

"Chen tum is ladke ko bacha rahe ho kyun??"ninja ne poochha

"Kyunki wo red clan ka hissa hai"Chen bola aur aage nikal gaya

"Yug ki koi galti nahi hai.ye sab us mask ke karan hua jo yug ne pehna hua tha.isliye meri guzarish hai ki sab ise maar kar de"sasuka ne baat sambhalne ke liye kaha

Sab ne sasuka ki baat maan to li lekin yug ko abhi bhi nafrat ki nazron se dekhne lage

"Ab hame ek naya master dhoondna hi hoga.aur is mission ke liye mai aur yug saath jayenge"sasuka bola

"Aur saath me Chen bhi jayega sasuka.is ladke par ham bharosa nahi kar sakte"ek vriddh ne paas aakar bola

Yug sar jhukakar hi khada raha.aaj tak kabhi kisi ka shayad hi bhala kiya hoga usne.aaj uske chalte is ache insaan ko marna pada

"Koi baat nahi .teri raksha karne mai hamesha taiyyar rahunga"Chen ke kataksh bhare awaz ne yug ko hila diya

Master ki kabr aur dekhkar usne ek shapath liya
Ki aaj ke baad apne aapko itna taqatwar banayega ki uski wajah se kisi ko marna na pade
 
"shiksha??"yug ne siksha ke kamre me ghuste hi awaz lagai

Siksha kuch nahi boli.us din mall me yug ke jo bezzati bhare bol bole the tab se yug se filhal baatchit band tha

Siksha ke kuch na bolne ke bawjood yug kamre ke ander aaya
Siksha kuch likh rahi thi.yug ko dekh ke bhi andekha kar apna kaam karti rahi

"Jaanta hoon jaane anjane me hurt kiya hai maine,isliye aaj wada karta hoon kabhi hurt nahi karunga tujhe,ho sake to maaf kar dena sis"bol yug kamre se bahar nikal gaya
Siksha ne likhna band kar diya aur sochne lagi,yug jaisa bhola bhala iladka aisi badtameezi se kaise baatein kar sakta hai

Yug wahan se nikalkar Monica ke ghar ki aur badh chala
Monica bhi shayad yug ko expect kar rahi thi.isliye jaise hi yug ne darwaza knock kiya usne jhat se darwaza khola

"Dekho yug i can explain wo us shaam ko mai aur sahil...."Monica ne baatein karte karte yug ko dekha.use koi interest nahi tha Monica ki baatein sunna

"Dekho Monica tum aur sahil kya kar rahe ho mujhe isme koi interest nahi hai.sahil ko tum mujhse pehle jaanti thi.aur tumhara close hai wo.mujhe tumne kuch hi dino se jaana hai isliye mera koi haq nahi banta ki mai tum par apna adhikar jamaun"yug bolta gaya

Monica chup thi.yug ke baaton ka kya jawab de do he ja rahi thi

"Meri dosti jaisi hi rahegi jaisi pehle thi.lekin usse aage nahi badhegi"bol yug ne ghadi dekha aur uthkar chala gaya Monica ko hakka bakka chodkar

"Kya baat hai yahan bulaya hum logo ko?"shubham bol utha

"Treat de raha hai kya hame??"jyoti ne shubham ke kandhe par haath rakhkar bola

Rashmi bhi aayi thi lekin chup thi

"Tum kuch nahi bolegi??"yug ne poochha
Rashmi ka chehra laal ho gaya tha yug ko dekhkar
Mature ho raha tha yug.shayad

"Waise mai thoda kaam se ja raha hoon,kai dino tak wapas nahi aaunga"yug ne bola to sab ek doosre ka muh dekhte rahe

"Samajh me nahi aaya"jyoti ne kaha

"Matlab tu kahan ja raha hai kyun ja raha hai.poori baat to bata"shubham bola

"Kaam hai yaar"bol yug jaane lag

"Yug??"rashmi dheere se boli

"Bolo rashmi"yug bola

"Kuch nahi"bol rashmi chup ho gayi

"Ok guys chalta hoon bye"bol yug chala gaya apne ghar
-------------------------------------------------------------------
"Hmm mask abhi bhi hai tum logo ke paas??"dark clan ka master phone par tha zabuza ke saath

"Ji master"zabuza bola

"Yani wo ladka yug hi tha"master bola

"Ji"zabuza bola

"Aur rashmi use ........uff ab rashmi par bhi nazar hai uski??"master ne poochha

"Nazar rakho us ladke aur rashmi par"master bola

"Lekin aapne bola tha kaam hone ke baad wapas aa jaane ke liye"zabuza bola

"Nahi filhal wahi raho aur nazar rakho meri beti par"master bola

"Aap kahe to uda de us ladke ko??"zabuza ne poochha

"Filhal nahi,aage dekhenge"master bola

"Waise master ye mask hamne pehenne ki koshish ki thi.lekin itni asardar nahi thi.pata nahi kyun???"zabuza bola

"Mask abhi tak sirf yug ko accept kar raha hai.isliye apni shakti aur de raha hai."master bola

"Fir is mask ka kya kare??hamare to kisi kaam ka nahi"zabuza bola

"Nahi.bina iske yug lachar hai.mask ho apne paas hi rakho aur aaye waqt le aana "master bola

"Ji"zabuza bola.aur phone rakh diya

"Tumne ye to bataya nahi ki master ki beti yug se bohut zyada hi pyaar karne lagi hai??"zabuza ke bagal me baitha kubda bola

Zabuza chup tha.rashmi ka pyaar yug ke prati har din badh raha tha

"Fir wo ladki koun thi jo park me behosh thi??"zabuza ne poochha

"Pata nahi,ye pyaar vyapar koi khalaji ka khel nahi hai,chalo chai peete hai "kubda bola aur dono nikal gaye
-------------------------------------------------------------------
Subah ke chaar baje the aur yug nikal gaya tha.
Poly aur harish ko ek jhooti kahani batakar

Uske peeche ek Saaya laga hua tha.jaise hi yug ne peeche mudkar dekha wo Saaya chup gaya

Yug ne charo aur dekha aur aage badh gaya

Rashmi ne rahat ki saans li.ek to chup chupkar yug ka peecha karna

Wow ek thrilling experience rahega.rashmi sochkar khush hone lagi
 
Back
Top