• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Fantasy AJNABEE 2-THE RISING(Completed)

"aapko pata bhi hai tyson?? rashmi un teeno ka peecha kar rahi hai"zabooza bola ek shaks ko

"Usse kya fark padta hai zabooza?"tyson bola

"Matlab??"zabooza samjha nahi

"Uska bhai hoon mai,usse lakh guna behtar hoon,waisi kamzor ladki kisi ka peecha kar kya kar legi"tyson muskurate hue bola

"Pata hai lekin apni dadaji ko di kasam ki wajah se....."zabooza bola

"Kya kasam??hah zabooza rashmi kamzor thi,kamzor hai aur kamzor rahegi.wo kya ukhad legi kisi ka,use bachane ke liye khud yug ko aana pada tha"tyson bola

"Pata hai,lekin kya master ko pata hai.ki unki beti ko maarne ke liye mia aur IAK ko kisne bheja tha"ek kutil muskurahat ke saath zabooza chala gaya

"Zabooza master ke marne ke baad unka clan ko mai chalaunga aur koi nahi.sirf mai"aankhen Neeli hoti gayi tyson ke aur charo aur thand badhne laga
-------------------------------------------------------------------
Rashmi chup chup kar yug ko dekh rahi thi.
Hyderabad me a gayi thi yug ke peeche peeche.aankhen band ki usne

"Soch liya rashmi??"jishnu ne kaha tha

"Haan,lekin promise karo tum yug ko kuch nahi karoge,use nahi sataoge aur pareshan nahi karoge"rashmi boli

"Acha promise,lekin ab to paas a jao darling"jishnu ne rashmi ka haath pakadte hue bola

"No touching jishnu,jab tak mai ye nahi dekh leti ki tum kitne sachhe ho tab tak no physical contact"rashmi boli

Aur aise hi rashmi aur jishnu ka rishta chal pada tha.
Rashmi ne jishnu se rishta joda yug ki wajah se

us raat jab yug ne rashmi ko bachaya tha tab sabse zyada rashmi khush hui thi,yug apne pairon me jo khada ho gaya tha
Yug ke baare me to sab kuch jaan liya,lekin apne baare me kuch nahi bataya.kya batati??

Idhar red clan ke naye master ko khojne ke liye Chen akele ek jagah chala gaya jabaki sasuka aur yug doosri jagah the.rashmi bhi doosre jagah gayi thi yug ke peeche peeche

"Yug tum ruko mai gaadi ka bandobast karke aaya.yahan jungle kaafi khatarnak hai.yahi rehna aur apna khayal rakhna"bol sasuka chala gaya
Aur rashmi yug ko dekh rahi thi.kaafi dubla ho gaya hai yug.thik se khata nahi hoga,apne sehat par dhyan nahi deta hoga.gadha kahi ka.agar uska bas chale to wo.....
Rashmi sihar uthi. dark clan ki halchal mehsoos hui use

"Wah jise khoj rahe the wo aakhir mil hi gaya"yug ke saamne ek ninja khada tha

"Bill,ye tumhari mout ka naam hai,itna jaan lo"ninja muskurate hue bola

Yug foorti ke saath daudkar ek ghoomta hua kick maar baitha us ninja par

THADDDDDD

Ninja ka chehra ek taraf ghoom gaya.aur usne apna chehra fir yug ke saamne kiya aur muskurane laga

Yug fir daudkar saamne aaya aur ek punch maara

THAAAAKKKKKKK
Roka apne haath se us ninja ne,lekin yug ne fir apne pair chala diye us ninja ke chehre par

THAKKKKKK

Ninja ne fir rok liya uske baar ko

"Suna hai tu master ahru ka mask pehenta tha??master ahru ko aur koi nahi mila kya apna mask dene ke liye??kam se kam.us ladke Chen ko to de hi sakte the"ninja muskurate hue bola

"Ab mai tujhe apni Power dikhata hoon"bol ninja ne pose liya yug ke saamne aur rashmi chaunk uthi
Ye ye ye to wahi ninja hai...

"Ninja skill ........beast power elephant stomp....."bol ninja ka sharir hawa me udd chala aur tezi se yug ke upar aane laga.yug hil bhi nahi pa raha tha us jagah se
Ninja ke sharir ke aaspaas yug ne ek haathi ka sharir dekha aur us ninja ka pair haathi ke pair jaisa ho gaya

THAMMMMMMMMMMMMMM

ninja ka pair yug ke sar par laga

"Akkkkkkkk........."muh se khoon nikla yug ke aur wahi baith gaya wo

"Beta ye to sirf trailer hai abhi to bohut kuch sehna hai,yahan tu marega wahan Chen ko mia thokegi,tum dono ki laash sasuka le jayega wapas ha ha ha"ninja ne fir pose liya aur yug apni poori shakti ek karke uth khada hua

"Ha ha dum hai tujhme,lekin kitna wo dekhenge.........beast power tiger claw"bol bijli ki tarah ninja yug ki aur udd chala aur uska haath ne sher ke panje ka roop le liya

KHACHHHHHHHHHHHH

"Ugghhhhh"yug samajh gaya ki uske bas ka nahi tha use ninja se ladne lekin shayad ab der ho gayi hai.usne aankhen band kar li,uska sharir udd chala aur...

THADDDDDD

"YUGGGGGGGGGG"daudkar rashmi yug ke paas pohunch gayi.poora chehra laal ho chuka tha.left side ke gaal ka chamda utar chuka tha.maans dikh rahe the.dhadkane dheere dheeme band ho rahi thi

"Yug aankhen kholo yug,mai kuch nahi hone doongi tumhe please yug please"roye ja rahi thi

' Are ye to rashmi hai.master ki beti clan ki kamzori kadi,hat yahan se warna tera bhi yahi haal hoga"ninja fir position lete hue bola

"Please please ek baar uth jao yug please"bol rashmi ne yug ke seene me apna sar rakh aur chaunk gayi.achanak uske aankhon ke charo taraf barf jamne laga ,usne apne aankhen band kar li aur kaafi der baad apni aankhen kholi to wo neele rang ki thi.
Uske muh se halke se nikla

"Ninja skills.............ice dragon power"
Aur aaspaas thand badhne lagi
 
Ice ki ek chadar badhne lagi us dark clan ke ninja ke upar
Usne ek jump ke saath apni jagah badal ki

"Hmm master ki beti,rashmi acha laga ki abhi tak wo aag hai jo humne tumhare bachpan me dekha tha"ninja muskurate hue bola

"Ninja skill........ice punch"rashmi ki sharir hawa me udkar ninja ki aur jaane laga
Lekin ninja waha se hila nahi

"Ninja skill......beast scroll.......shield of rhinoceros "bola us dark clan ke ninja ne aur rashmi ka ice punch wahi ruk gaya

"Jang lag gaya hai shayad shahar me akele rehte hue"ninja has pada

"Dekhte hai"muskurai rashmi

"Ninja skill.......tiger claw"ninja ke bolte hi uske aas paas sher ka ek roop taiyyar ho gaya aur uska sharir hawa me udte hue rashmi ke paas jaane laga

"Ninja skill .......ice dragon breath"bol rashmi ne ek saans chodi muh se.ek thandi hawa badhne lagi ninja ki aur

"Y ye to ye to....."itna hi bol paya ninja kyunki rashmi ke muh se chodi hui hawa ne usko barf ke ek block me jama diya tha

"Aur ab khatam hone ki baari.....ninja skill......"rashmi bhi itna hi bol paayi kyunki ....

SWOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOOSHHHHHHHHHHH.

TAKK

ek Arrow hawa se aayi aur us barf ke block se takraya.isse pehle rashmi kuch samajh paati Arrow se laga hua block udkar hawa me udkar chala

"Sura .....acha hua tune ise bacha liya warna iski jaan chali jaati aaj"rashmi boli
Aur daudkar yug ki aur gayi

"Yug....oh god yug"rashmi rone lagi
Kya kare wo kaise bachaye yug ko

"Hat jao ladki"ek aurat ki awaz sun rashmi ne dekha ek aurat ek usi umra ke ladki ke saath saamne khadi hai

"Hat jao agar is ladke ko bachana chahti jo to"aurat boli

Rashmi hat gayi.aur us aurat ne zameen par baithkar yug ke seene me apna kaam rakha aur nabz padha

"Rachel zara paani dena "aurat ne demand kiya to rashmi ne dekha ki rachel naam ki ladki jo us aurat ke saath thi usne paani aage badhaya us aurat ke taraf

Us aurat ne paani ki kuch cheenne yug ke chehre par maari aur apne de ungli uske seene par rakh diya

Rashmi ne chaunkte hue dekha ki ek roshni yug ke seene se nikal rahi hai aur chehre ka ghaav bhar raha tha.
Maans par fir se chamda lag raha tha aur khoon nikalna band ho gaya tha

Us aurat ne apne do ungli nikal liye yug ke seene se aur rashmi ki aur mudkar boli
"Aaj is ladke ko khana mat dena aur sirf paani pilate rehna "

Itna kehkar wo aurat aur wo ladki jaane lagi

"Rukiye ,aapne jo hamari madad ki iske liye hum aapka Ehsaan kabhi nahi bhulenge,apna naam to batate jaiye"rashmi ne poochha

"Dark clan ki hokar mera naam nahi jaanti??"aurat muskurate hue aage badh gayi rashmi ko hairaan chodkar
-------------------------------------------------------------------
Prakash police station me bohut der se kuch soch raha tha
Yug ka japan se akele aana.mask wale shakhs se kuch to lena dena hai is ladke ka
Iske liye japan se judna hoga prakash ko

"Hello??"doosri aur se awaz aayi

"Officer nakoro this is inspector prakash here,how are you doing??"prakash ne poochha

"Oh I was expecting your call ,so how can I help you??"nakoro be poochha

Jawab me prakash ne yug ke india aane se lekar ab tak ki saari baatein unhen batayi.

"I think i cannot say anything about this on phone you have to come to Japan to investigate further,I'll help you as much as I can "nakoro bola

Prakash ne thanks bola aur phone rakhkar sochne laga
Yug ki poori jankari wo lekar rahega
-------------------------------------------------------------------
"Lagta hai kaafi door a gaya hoon"Chen sochne laga
Aur wapas jaane ke liye muda

DHAPP

ek shaks ne udkar zameen par kadam rakha

"KOUN ho tum saamne a ja....."itna hi bol paaya Chen ki uski aankhen fati ki fati reh gayi
Mia??

Mia bhi Chen ko dekh chaunk gayi.aur pata nahi kyun aankhen nam ho chali

"Emotional hone ka time nahi hai mia,tum apne clan ke liye lado mai apne clan ke liye ladta hoon"Chen position me a gaya

"Tumhara dil patthar ka ho sakta hai Chen mera nahi....mujhse nahi hoga "mia boli

"Ek sachha ninja apne clan ke liye apne parivar ko bhi kaat deta hai,pata hai na tumhe ??ya bhool gayi??"Chen ne poochha

Mia ab thik hui,apne aansu poche aur pose me a gayi

"Ninja skills ........ feminine wave"mia ne apna japanese fan se hawa me hi do teen baar Chen ki aur hilaya

"Shit"bol Chen hawa me udkar hat gaya waha se
Aur usne dekha ki.. .

KHATTTRRRRRRRR

ek ped beech se katkar neeche gir gaya

"Bohut practice kiya hoga tumne mia mere jaane ke baad hai na??"Chen ne poochha
Jawab me mia muskurai

"Ninja skill........fire balls"Chen ne hawa me hi apne haath se teen se chaar aag ka gola mia ki taraf fenk diye aur wo bijli.ki tarah mia se takrane nikal padi

"Ninja skill .......blow of female god"bol mia ne hawa me hi apne fan ko upar se neeche zor se rakha
Aur aag ke gole katkar alag hokar door chale gaye

"Ho gaya??"mia ne poochha

"Abhi tu mai warm up ho chuka hoon"pose lete hue Chen bola

Dono ek doosre ke saamne khade the.apne apne clan ke liye ladna jo tha.sab bhulakar
 
"ninja skills..........leo roar"Chen chupchap aakh band kar apne dono haatho ko ek kar khada ho gaya
Uske aas pas ek sher ke roop ke aag ka ek bada sa roop taiyyar ho gaya aur us sher ne ek dhahad maari

Aage ki laptein mia ki aur aane lagi

"Ninja skills...... feminine defence "mia boli aur usne apna fan zameen par gaad diya

Fan ke aas pas ek shield jaisi ban gayi aur us aag ke sher ke muh se nikli hui aag us shield se ruk gayi
Lekin aag itni zyada thi ki..

"Uhh...."Mia sambhal nahi paayi aur ..

"MIA"Chen chillaya aur mia ke paas aaya

"Eh??mai to bas thokar khakar gir gayi thi"mia boli

"Jab mai tumse shaadi karunga tumhe girne nahi dunga"Chen hanskar bola

"Acha??abhi to hum chote hai,lekin bade hokar mujhe bhool gaye to??"mia ne poochha

"Sawaal hi paida nahi hota"Chen bola

Tabhi laal rang kapde aur kaale rang ke kapde pehne ke kuch log a gaye

"Red clan ke logo ke saath itni dosti??"bol do aadmiyon ne mia ko pakad liya

"Chodo mia ko uhhh"Chen ke bolte hi usne dekha use bhi red colour pehne logo ne pakad rakha
Uske saamne rote bilkhate mia ko ghasit kar le gaye aur wo dekhta raha

"MIA"Chen wapas present me a gaya tha.
Mia chitak kar door gayi thi

Chen majboor tha mis ki aur lachari se dekha usne aur apne raaste nikal gaya
Mia ne jaan bujhkar apna vaar halka rakha tha
Damn.....

-------------------------------------------------------------------
Yug ne jab aankhen kholi dun chadh aaya tha
Jhat se uth baitha wo aur usi waqt use chakkar aane laga
Aur wo zameen par baith gaya
Apni nazrein usne aas paas daali to dekha ki wahan par rashmi baithkar soyi hui thi.pehle to yug chaunka Rashmi ko dekhkar fir usne rashmi ka chehra dekha .thakavat saaf dikh rahi thi uske chehre par.

"Uth gaye??"sasuka ki awaz se yug ka dhyan toota
Aur ek prashn ki nazron se usne sasuka ki aur dekha

"Is ladki ki wajah se jaan bachi tumhari,samjhe"sasuka bola

"Mujhe sirf itna yaad hai ek ladai ho rahi thi aur wahi mai...."apna sar pakad kar yug bola

"Wahi is ladki ne tumhari madad ki yug wo ek aurat ne jise hum dhoond rahe the usne tumhare mare hue jism me jaan foonk kar chali gayi"sasuka bola

Yug khamosh raha.sabse kamzor kadi banta ja raha tha wo.
Udhar rashmi bhi uth gayi aur yug jo saamne dekh kuch kaha nahi gaya usse

"Rashmi pata nahi kaise tum mujh tak pahunchi,lekin jo bhi hai uske liye bohut bohut shukriya"yug bola

Rashmi bas muskurai.lekin yug ne man hi man thaan liya tha.ki life me kabhi bhi wo kamzor nahi banega ki koi use bacha le jaaye
Apne pratigya ko yaad kiya usne.aur uthkar khada ho gaya

"Chale sasuka ji??"yug ne bola to sasuka ne rashmi ki aur dekha

"Tum bhi hamare saath ja sakti ho rashmi"sasuka bola

Ye ladki dark clan se hai ye baat yug ko nahi pata,aur batana bhi nahi hai use.baaki agar rashmi hamare saath chalti hai to ho sakta hai dark clan wale hamla karne se pehle kai baar soche

Apne man me bohut saare calculation liye sasuka badh raha tha yug aur rashmi ke saath,tabhi

"Mujhe miss to nahi kiya??"Chen ki awaz ne sabko chaunka diya
-------------------------------------------------------------------
"Yani aapne abhi tak decision nahi liya??"rachel boli

"Haan keh sakti ho??"aurat boli

"Hey bhagwan hey bhagwan aage kuan peeche khai
Red aur dark clan ke beech hum pees jayenge madam"rachel darte darte boli

Aurat kuch boli nahi.kya kehti abhi samay bohut kam hai jald se jald ye jagah choddni hogi

Kuch door gaye hi the ki unhe chaar log aate dikhai diye

"Ye to red clan wale hai"aurat dheere se boli

"Ab kya kare??"rachel ne poochha

"Zyada kuch nahi,dekhte hai tamasha"aurat boli

Udhar sasuka aur baaki ko ek aurat aur saath me ek ladki dikhai dete hi sasuka chilla utha
"Wo rahi hamari future master"

Rashmi chaunk padi,wahi aurat jisne us din yug ki jaan bachai thi??
Ye banegi master red clan ka??
 
"are??y ye to lori madam hai"sasuka us aurat ko dekhte hue bola aur jhuk gaya.chen bhi jhuk gaya
Sirf yug aur rashmi khade rahe,aurat muskura uthi sabko dekhkar

"Yug jhuk jaao ye top rated ninja hai.gine chune ninja jo aasman ki shikhar par pohunch chuke hai"sasuka yug ko fusfusate hue bola aur haath pakadkar baitha diya yug ko.sasuka ki taqat dekh halka sa hairan reh gaya yug sasuka ko hamesha usne ek kamzor roop me.dekha hua tha

"Kaafi bade ho gaye ho Chen??"lori naam ki aurat boli

Chen chup raha aur nazrein jhukakar jhuka hi raha

"Lekin saath me attitude kam nahi hua tumhara waise ke waise hi ho"lori fir boli
Aur apne daant bheench liye Chen ne

"Aur tum luck se bane ninja,isse pehle ki tumhari jaan nikal jaaye ladna seekh lo"vyang bhare bol nikle lori ke muh se

Rashmi ko bhi ek nazar dekha lori ne lekin kuch boli nahi

"To dark clan wali bhi ab red clan ke saath rahegi??"lori ne rashmi ko dekhte hue bola

"Mai sirf yug ke saath hoon jahan wo wahan mai"rashmi bina dare boli

"Hmm ek aise ladke ke saath jisme koi ninja skill nahi hai,martial arts ko chodkar.bohut ache"lori haste hue boli

"Chahe mujhme powers ho ya na ho,lekin mai red clan ki izzat ko wapas dilaunga aur yoshodo ka khatma karunga"yug bola
Aur lori chaunk padi

Wahi josh wahi junoon jaise apne past ko chookar aayi ho lori

"Madam??"rachel ne lori ke kandhe par haath rakha to lori normal hui

"Hmm dekhte hai,lagta to nahi hai lekin mujhe khabar milti rahegi teri,chalo rachel jaane ka waqt ho gaya"bol lori aur rachel jaane ko mude

"M madam usi silsile me aapse baat karni thi"sasuka bola
Aur sab kuch keh sunaya lori ko.lori dhyan se sab kuch sunti rahi

"Dekho sasuka mera aur red clan ka koi rishta nahi raha,us clan se nikle hue kai saal ho gaye,na to master ne na kisi ninja ne mere baare me khabar rakhi ki mai zinda bhi hoon ya nahi,wapas us kamzor clan me jaane ka sawaal hi paida nahi hota"lori boli

"Wah ek yug hai jo is clan Ka na hokar bhi is clan ke liye jaan par khel raha hai aur ek aap hai"rashmi boli

"Jab kisi baare me jaanti nahi ho to apna muh band rakho ladki ,aur sasuka please
Mai is baare me aur bahas nahi kar sakti"lori boli

"Wah Wah kya reunion hai "ek awaz ne sabko chaunka diya

Bill aur mia yahan??Chen aur ek ninja ko dekh chaunk pada.
Za zabooza???
-------------------------------------------------------------------
"Mana kiya tha na aapko??"mia boli
To chen aage a gaya

"Unse nahi mujhse baat karo"bol pose lete hue Chen bola

Mia muskurate hue Chen ke saamne a gayi

"Ha ha ab aapka kya hoga lori ji??"bill hanskar bola
Zabooza chupchap khada tha

Lori pathar ki moorti ban gayi.ekdum statue jaise
Aankhon me darr jhalak raha tha

"Ninja style......... feminine slash"mia ke japanese fan se nikle hawa ka ek jhonka sa Chen se takrane nikal pada

"Ninja styles......fire shield"Chen ke haathon se nikle aag ka ek chadar Chen ke saamne a gaya ur isse hawa ka jhonka takta gaya aur aag bujh gayi

"Ninja styles ..........water spears"zabooza ke bolte hi paani ke kai saare teer ke shape liye hue spears yani bhala Chen se takrane nikal chale

"Ninja styles .........fire needles"Chen ke bolte hi uske haath se aag ke kai saare sui un bhalo se takrane lage

KHACHHHHH KHACHHHHH KHACHHHHH

"uhh"Chen ke muh se awaz nikli ke sharir ke aar paar ho gaye kuch paani ke shape liye hue bhale
Aur isse pehle wo sambhal paata

"Ninja styles...........kangaaro punch"bill ka sharir hawa me ghoomar aur kangaroo ke shape liye uska haath Chen ke jabde par laga

THADDDDDDDDDD

"Uh "uchal kar door ja gira Chen

Mia tadap uthi aur Chen ki aur pair badhane lagi lekin Chen ne aankhon se mana kar diya

"Ninja styles........death by water "zabooza bola aur paani ikattha hone lagi uske charo aur

"Ninja styles ..........ice dragon breath"rashmi ke bolte hi icy hawa ka jhonka zabooza ki aur badhne lagi
Lekin zabooza se pohunchane se pehle pani bankar zameen par gir gaya
Aur usse pehle wo kuch samajh paati

"Akkkkkkkk....."rashmi ke gardan par paani ka ek shikanja sa ban gaya rashmi ki saansein rukne lagi aur wo behoshi ki duniya me pohunch gayi

"Ha ha abhi itni taqat nahi aayi ladki ki tu great zabooza ko hara sake,dark clan ke naam par kalank hai tu"behosh rashmi ki aur dekhte hue bola bill

"Mia??"bill ne yaad dilaya

"Hiyaaaaaa"mia ne ek chhalang lagai aur

DHADDDDDDD

Sasuka se fan takraya aur sasuka ka sharir hawa me uchal kar door ja gira

"Sab khatam lori,ab sirf hum aur tum"zabooza bola

"Galat"ek awaz ne sabko us taraf mudne par majboor kar diya

"Beech me mai bhi hoon"yug ne ek aatmvishwas ke saath kaha aur lori ke saamne a gaya
 
"bill zyada waqt nahi hai hamare paas ,is aurat ko khatam karo aur chalte hai yahan se"zabooza bola

"Thoda khelne to dijiye sir"bol bill muskurate hue lori ke paas gaya

"Ninja skills....... elephant stomp"bol bill ka sharir hawa me uchla aur wo aasmaan me ekdum lori ke oopar chala gaya
Aur uska pair tezi se lori ki aur aane laga haathi ke pair me badal kar,lori ne aankhen band kar li

THAPPPPPPPPPPP

Lori ne jab aankhen kholi to dekha ki bill ke pair ko do haath rok kar rakhe hue hai.jo kaamp rahe hai aur wo dono haath yug ke the jo khoon me lathpath the

"Wah kya shot roka hai is ladke ne,lekin aise kab tak bachayega is aurat ko tu??"bill bola

"Haan yug hat jao saamne se warna ye tumhe maar denge,maine apni zindagi jee ki hai lekin tumhari to shuruaat hui hai"lori boli

"Lekin....ek ninja kabhi dar ke maare saamne se nahi hathta "yug bola aur apne lahuluhan haath ko dekhne laga
Vaar kaafi zordar tha

Lori pathar ki moorat ban gayi....wahi shabd wahi junoon
:::::::::::::::::::::::::::::::::::::
25 saal pehle
Red clan village japan ke ek rahasyamayi jagah par

"Oh lori jaana to padega hi"ek shaks ne bola

"Nahi nahi bohut khatarnak hai ye ladai,hum jeet nahi sakte kabuka"lori boli

"Haar jeet kab se ninja ke sochne ka vishay ban gaya lori"kabuka bola

"Lekin..."lori fir boli

Ladai hui aur zabardast hui.kai saare yodha maare gaye red clan ke
Dark clan ke is hamle se kabuka bhi marne ke haalat me pohunch chuka tha

"Maine kaha tha,kaha tha maine"lori rote hue kabuka ke ghaav saaf karne lagi

"Ek ninja kabhi dar ke maare saamne se nahi hathta lori"zabardasti ek akhiri baar muskuraya kabuka aur veergati ko prapt ho gaya
Lori poora din roti thi.kya karti kya kehti.sab is red clan ke chakkar me.nahi rahegi is jagah par jahan usse uska sab kuch cheen Gaya

Aur us din uska us ninja clan me akhri din tha
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
"HAKKKKKKKKKKK......"ek cheekh ne lori ko present me aane par majboor kar diya

Yug ka sharir hawa me udkar door ja gira

"Aur ye laga sixer,ha ha ha zabooza sir.promotion hoga ya nahi mera???"bill ne poochha

Zabooza chup raha aur yug ki aur dekhne laga
Yahi wo ladka hai jisse sab ghabrate hai??rashmi baby ko yahi ladka mila tha nain matakka karne ke liye??master is ladke ke baare me bol rahe the???

Yug uthne ki koshish karne laga lekin nahi uth paaya
zameen par gira hi raha wo

"Oh madam aapko to bhool hi gaya tha.....ninja skill.........slash of the tiger"bol bill ka sharir speed se gaya lori ki aur .isse pehle ki wo kuch soch samajh paati.

KHACHHHHHHHHHHHH

"Uhhhh........"bol lori door ja giri aur uske muh se khoon nikalne laga

Bill lori ke paas gaya aur uske gardan par ek pair rakhkar khada ho gaya
Lori ka hosh jawab dene lag gaya tha

"R ruk jao"ek awaz ne bill ko yug ki taraf palatne par majboor kar diya
Abhi bhi zameen me leta hua tha wo

"Oh mia is kamzor ko khatam kar tu,mai apne haath gande nahi karna chahta ise maarkar"bill ne mia se kaha

"Ninja skill ....... feminine slash bol mia ne apne fan ko katne ke anzaaz me yug ki aur ghumaya
Hawa ka ek jhonka yug ko do tukde karne chala ...lekin isse pehle ki yug ko choo paata

FARRRRRRRRRRR

zameen se kuch ret yani sand ne udkar use rok liya

"Kya vaar tha wo mia fir se kar "bil.ne yug ki aur dekhkar kaha.yug waise hi leta hua tha

"HIYAAAAAA"mia ne hawa me do teen vaar kiya apne japanese fan se

FARRRRRRRRRRR FARRRRRRRRRRR FARRRRRRRRRRR

thik usi tarah zameen se kuch ret udkar un vaar ko rokne lage

"Ninja skill............sunrise"mia ne sabse khatarnak vaar kiya yug par
Apna japanese fan fenk diya yug ke upar

Fan gol gol ghoomkar speed se yug ki aur badhne lagi use katne ke liya

FARRRRRRRRRRRKKKKKKKKK

hawa me hi us fan ko ek haath jo mitti se bana tha ne pakad liya

"Ye.....kya ho raha hai"bill ne hairani se poochha
Lekin zabooza jawab dene ke mood me nahi tha

Yug ke aaspaas chote chote pathar hawa me udkar chakkar lagane lage.jabki wo leta hi raha

Mia aur bill dono hairani se dekhne lage yug ko

THUMPPPPPPPPPP

"Huh....??"hairani se aankhen badi ho gayi mia ki.ek bade se haath ke shape me ret zor se laga mia ke pet me aur wo hawa me udkar door ja giri

Yug dheere dheere uthne laga

"I isme to koi ninja skill hai hi nahi fir kaise ye sab.....koi baat nahi.....ninja skills ..... elephant stomp"bill hawa me udd gaya aur thik yug ke sar ke upar pohuch gaya.lekin isse pehle ki bill kuch kar paata

Yug ne zor se taali bajai

CLAPPPPP

hawa me ret ke do diwar bankar bill ko gher liya

"Itni lambi diwar??"zabooza ke muh se nikal gaya

THAMMMMMMMMMMMM

ret ki diwar aapas me takrai aur isse pehle ki bill kuch samajh paata wo un do diwaron me piskar reh gaya

Ret ki sakht diwar ab ret bankar neeche gir gayi
Aur saath hi bill ka sharir bhi lahuluhan hokar neeche gir gaya

"Ab tu aur mai"yug zabooza ke saamne khada ho gaya tha

Zabooza ke chehre par ek muskan tairne lagi
 
"ninja skill.............mighty earth punch"yug chilla utha.
Lekin kuch nahi hua

Yug ko vishwas nahi ho raha tha.abhi tak to wo ninja skill.use kar raha tha.lekin abhi achanak kya hua??

"Tujhme ninja skill nahi hai,ye tu jo ab tak kar raha tha wo mask ke side effects ka natija hai"zabooza bola

"Bina mask ke tu kuch bhi nahi"bola zabooza aur paani ke shikanja kasne laga yug ke gale me

"Akkkk......."yug ka dum ghutne laga.ki tabhi ek phone aaya zabooza ko

"Hello??........lekin abhi??.......fir is ladke ko??........thik hai"phone pocket me rakh kar zabooza muskuraya

"Bach gaya tu,hamara mission khatam hota hai"bol zabooza chala gaya chen aur bill ko lekar

Yug zabooza ko dekh raha tha jaate hue,ek aur haar.lekin agli baar wo ye nahi hone dega zabooza ko harakar hi dum lega

Sasuka,rashmi,Chen ,rachel normal ho rahe the
Lori ki haalat abhi bhi kharab thi
-------------------------------------------------------------------
HOSPITAL ME

"Yug ab kaisi tabiyat hai tumhari??"sasuka ne poochha

"Bas....lagbhag thik hoon"yug bola

"Lori.....bina bataye chali gayi ,ek khat likha hai usne ,padh lo"sasuka ne yug ko aur khat aage badhaya

"Lekin.....mai kaise ise padh sakta hoon.aapko.likha hoga"yug bola

"Nahi usne ye tumhe bhi padhne bola hai"sasuka bola

Yug ne khat liya aur padhne laga
"Dear sasuka,
Sabse pehle to bina bataye jaane ke liye maafi maangna chahungi
Jis clan ko chod mai idhar udhar bhatak rahi thi.kabhi zindagi me wapas wahi clan mujhe dhoondte hue aayega socha nahi tha
Tumne mujhe master banane ke liye bohut mehnat ki,yug aur Chen to apni jaan par bhi khel gaye,lekin mai ab wo bojh utha bhi paungi ya nahi pata nahi.shayad mujhme wo taqat hai hi nahi.rachel ek honhar ninja hai.mujhse zyada jaanti hai sab.haan umra me choti hai lekin ek master banne ke saare gun usme hai.
Yug ke paas koi ninja skill nahote hue bhi usne do dushmano ko haraya ye kitne log kar paate hai
Usko aage badhate jaana hai uska maksad poora karna hai
Apne clan ki hamesha hifazat karna.zindagi rahi to fir mulakat hogi
Alvida

Lori"

Khat padhkar yug chup raha.kuch nahi kar sakta hai wo ab.rashmi aur Chen ka khayal aaya use achanak

"Wo ladki aur Chen thik hai doosre ward me hai milna chahoge??"sasuka ne poochha

Yug utha aur sasuka ki madad se doosre ward me gaya

"Ab kaisi haalat hai rashmi?"yug ne poochha to rashmi yug ko dekhte hi baithne ko koshish karne lagi

"Are...mai madad kar deta hoon"bol yug ne rashmi ko sahara dekha baithaya

Yug ka haath rashmi ko cholte hi uske dil me ajeeb so feeling hone lagi
Oh yug,kabhi tum mere pyaar ko samajh bhi paoge??
Ya sirf mai ek achi dost ban kar reh jaungi

"Ok ok mai thik hoon,khud ki haalat to dekho pehle,usse to kaafi better hoon"rashmi boli

"Waise ye khubsoorat chehre par na bina smile ke acha nahi lagta,ek smile to de to"yug bola.
Uff ye ladka flirt bhi kar raha hai aur ise pata bhi nahi hai ye
Hai ri kismat
Rashmi ne apne sar par haath rakhkar bola

"Apne girlfriend se fursat mile to mujhe bhi dekh le ek baar "Chen ki awaz aate hi yug aur rashmi chaunk pade

"W wo..aisa nahi hai y yug aur mai d dost hai"rashmi boli

"Wo dikh hi raha hai "Chen bina dekhe bola

"Uff bina har kaam me tang adaye khana haram nahi hota tera??"yug ne poochha

"Nahi,waise dono ki shaadi me mujhe expect mat karna"Chen bola

"Hamari shaadi hui bhi to tujhe nyota tak nahi milega"yug gusse me bola

"Kya???"rashmi cheekh padi aur behosh ho gayi
-------------------------------------------------------------------
Ek mahal se aalishan villa se ek aadmi kai ladkiyon ka haath pakde swimming pool me aaram farma raha tha

"Sir the master has come from dark clan"us shaks ki aur bina dekh ek aadmi bola

Us shaks ne apna cigar fenk diya aur bathrobe pehne swimming pool se bahar aakar wahan gaya jahan dark clan ka master wait kar raha tha

"Herbert,kaise ho??"us shaks ne kaha

"Aapke mutabik us mission ko cancel karwa diya ..lekin samajh me nahi a raha hai ki...."herbert ke bolne ka matlab wo shaks samajh gaya

"Ki maine mission kyun band karwaya, herbert har baat ko janana zaroori nahi hai,samjhe??dark clan ko badhao kyunki dark clan se mera business badhega"wo shaks bola

"Lekin agar aisa hua ki...."herbert ko beech me rok diya us shaks ne

"Yoshodo amar hai herbert,amar.... invincible.......mai mar nahi sakta"kutil muskan ke saath herbert ke kandhe par haath rakhkar yoshodo bola

------------------------------------------------------------------
SCHOOL ME
"Kya baat hai rashmi ki bachhi??aaj to nazrein hat hi nahi rahi hai yug se??"jyoti ne rashmi ko chhedte hue poochha

"Dhat...aisa kuch nahi hai"rashmi boli

"Oh to fir thik hai mai Monica ko yug ke saath fix kar deti hoon.kisi ka to bhala hoga"jyoti bolti hi rashmi chaunk gayi

"Ha ha ha pakad liya pakad liya,waise dono ki khoob jamegi,school hi hottest ladki aur school ka seedha sada ladka"jyoti fir boli

"Chal canteen chalte hai,class to khatam ho gaya"rashmi boli aur dono canteen jaane lage ki tabhi saamne se yug aaya

"Rashmi mujhe kuch zaroori baatein karni hai"yug ne bola to rashmi jyoti ki aur dekhne lagi aur jyoti ne hanskar aankh maarte hue chali hayi
 
Hawa me rashmi ke baal uske gaalon ko choo rahe the jise wo apne haatho se kaan ke peeche kar rahi thi

Lekin yug ke paas romance ka waqt nahi tha

"Rashmi ,seedha seedha poochonga .dark clan ke saath tumhara rishta kya hai??"yug mudde par a gaya

"Oh,isliye yahan bulaya tha yug.pata nahi tha ki tum itne practical ho gaye ho"rashmi smile ke saath boli

"Topic change na karo rashmi ,aisa nahi hai ki mai sasuka sir se nahi pooch sakta tha ya Chen se ya rachel se,janna mujhe tumse hai"yug bola

Rashmi school ke terrace se charo aur dekhne lagi
Aur apne past me chali gayi.

"Mera ek past hai yug sunna chahoge??"rashmi ne poochha

Yug chup reh sunne laga
:::::::::::::::::::::::::::::::
"Abhi choti hai ye,mission par nahi le ja sakte "kubda bola

"Nahi mai jaungi jaungi jaungi"rashmi boli

"Please zid na karo rashmi,master aap samjhaiye na"herbert bola

"Acha baba ek mauka to de hi sakte hai"master muskurata hue bole

"Aap ko mission me jaane ki kya zaroorat pad gayi master??"herbert ne poochha

"Apni poti ko apne saath ladte dekhna chahta hoon Herbert,tum iske baap naam ke ho bas"master hanskar bola

"Aap isko light le rahe hai master mission me kuch ulta seedha hua to mission ke saath saath jaane jayengi"herbert bola

"Rashmi dekh lo papa kya keh rahe hai,beta tum baad me hi chali jaana "master bola

"Nahi nahi mujhe jaana hai to jaana hai"rashmi hat par a gayi aur fir mission shuru hua

"Rashmi wo door us aag ko dekh rahe ho??apne power se use bujha do.lekin dhyan rahe bagal wala box jo hai use kuch nahi hona chahiye wo siren hai"master bola

"Ok dadaji"rashmi taiyyar hote hue boli

"Ek minute beta ,tumhe pata hai na zara si chook sab khatam kar degi"dadaji yani master bole

Rashmi ne sar hilaya

"Master ye..."ek ninja ne bolna chaha to master ne chup karaya

"Ninja skill.....water dragon ....... water jet"rashmi ne apna dhyan lagaya us chote se aag par

Paani ki ek patali si lahar aag ki taraf gayi.....
Lekin aag se na takrakar us box me takrai
Aur alarm baj utha

"Anarth ho gaya"master ke muh se nikla

charo aur goliyan barsane lagi aur ninja marne lage.
Master ko bhi goliyan lagi lekin fir bhi wo rashmi ki bachane ne kamyab ho gaya

"Dadaji....maaf kat dijiye...."rashmi rote hue boli

Kuch ninja wahi khade the.master ne unki aur dekha

"Rashmi mujhe wada karo ki kabhi bhi apni shakti ka istemal nahi karogi"master bole aur fir ninja ki aur mudkar bile

"Aaj se rashmi kabhi bhi mission me nahi jayegi na hi ninja clan me shamil rahegi
Ye mera marne se pehle aakhiri faisala hai"master bole aur veergati ko prapt ho gaye

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::
Rashmi wapas present me a gayi aur aankhon se aansu behen lage
Usn use apne haatho se hataya aur jaane lagi

"Maaf kar dena rashmi maine galat samjha tumhe,tumse bada sacrifice to kisi ne nahi kiya hoga shayad.taqat hone ke bavjood tumne kabhi apna power use nahi kiya.sirf abhi use kiya hai wo bhi jab mout naach rahi thi ham sab ke saamne"yug bola

Rashmi sar jhukakar khadi rahi

"Waise tum mere peeche kyun aayi ??peeche kar rahi thi kya mera??"yug ne muskurate hue poochha

"N nahi to"rashmi boli.uff yug ne agar pakad liya to problem ho jayegi

"Jo bhi hai rashmi thanks a lot"bol yug rashmi ke gale lag gaya

Rashmi ko shock lag gaya.yug??aur mere gale lag raha hai
Yess
Yahi to chahiye tha.rashmi ne abhi aankhen band kar yug ke hug ko enjoy karne lagi

In sab ko do aankhen neeche se dekh rahi thi

"Kya ho gaya uski gf hogi,chalo to"sahil Monica ko bola jo ab kuch dekh rahe the door ek building se

Monica ka gussa saatve aasman par pohuch gaya tha
-------------------------------------------------------------------
"Ye mask ka colour change kyun ho raha hai??"kubde ne poochha

"Kyunki isko pehenne wala taqatwat ho raha hai"herbert bola

"Ahru master ki mask,waise kitna taqat hai is mask me??"kubde ne fir poochha

"Ye ahru ka mask zaroor hai lekin wo nahi jiske baare me hum jante hai"herbert bola

"Matlab??"kubde ne fir poochha

"Is mask ka Rahasya gehrata ja raha hai,samjhe"herbert ne mask ko haath me lete hue kaha
 
congrats.jpeg.gif
Sir g for your
another story
Actually bohat time bad visit
Ker raha hun idr darasal sex k
ilawa ab kuch read karne ko milta
hi nahi is wajha se dill uob gya ta
lakin aj jb ye thread read kia to
such bohat acha laga bohat dinu baad kuch dhang ka read karne ko
mila khair baat karu story ki to kamal ka likh rahe ho sir g
bs ese hi likhte jao
yug ka starting me alag hi
fanda ta but jaise jaise story age
bari sb set ho gya
abhi to just sharuat hai abi yug
ko bohat age jana hai kuch ghaltian
b hoin us se lekin seekh raha
hai or i hpoe k next better ho ga
monica also my favroite character
but uska samjh e kuch nahi aa
raha agr passand karti hai to boli kyu
nahi bohat hi confused character
hai or sahil se dosti kuch samjh na
aya kyu kar li sb jante bhojte
maybe ye larka sahil bohat lafda kare ga yug or monica k beech
rashmi is also a very strong
character of the story
shiro me to kuch khas ni lagi ti
lakin ab achi lag rahi hai or is ka
jishnu ka sath yug ki khatir
sacrifice karna kabil daad hai
bow2.gif

abhi ziada nahi likhu ga
alfaaz itne hain k raat guzer jai gi
likhte likhte bs abhi zaida boor nahi karta
82.gif

by the way good luck for upcoming
updates sotory was suppereb
excellent naratiom
declare.gif

kneel.gif
kneel.gif

goteam.gif
 
"ridiculous prakash,ye bakwas karne ke liye mujhe yahan bulaya tha??"asha gusse se bol padi

"Samajhne ki koshish karo asha .yug ka japan me jaana aur fir uske behaviour me change aana ,har vaardaat uski aur hi ishara karti hai"prakash bola

"Dekho prakash yug ko mai bachpan se dekhte a rahi hoon.ek bechara sa hai hamesha pitkar aata tha school se,aur wo Achanak khooni ban gaya ??kya logic hai ye??mujhe laga aaj hum aapas me kuch time guzarenge.lekin tumhare dil me ye ut patang cheezein chal rahi wo mujhe pata nahi tha"asha boli

"Dekho asha maine bohut investigate kiya hai is mamle me,tabhi bol raha hoon.yug hi wo hathiyara hai jo sabko maar raha hai"prakash bola

"Seriously??mai ja rahi hoon prakash mere paas bakwas ka time nahi hai"asha uthte hue boli

"Asha mera yakeen mano yug hi wo.."

"Bas prakash,mere parivar ke baare me kuch aur nahi sun sakti,pakka saboot hai tumhare paas??"asha ne demand kiya

"Uhh??....umm....wo..."prakash sakte me a gaya
Pakka saboot hi to nahi hai uske paas

"Bye prakash"bol asha tezi se chali gayi aur prakash use rokne ke liye kuch kar hi nahi paya
-------------------------------------------------------------------
"Jab bhi jaata hai apna huliya bigaad kar aata hai"poly yug ko nashta dete hue boli

"Maa kuch nahi hua mujhe"yug ne samjhana chaha

"Bas yug ab aur nahi,aaj ek mahine tu sirf school aur ghar aaya jaaya karega,baaki kahi bhi nahi jayega"poly boli

"Ok maa wahi karunga"yug bola aur khaane par concentrate karne laga

"Maa wo jayega,jhoot bol raha hai "shiksha kuch likhte likhte ruk kar poly ko boli

"Oh??ye baat hai.kha mere sar ki kasam ki tu nahi jayega??"poly ne yug ka haath apne sar par rakha

Damn yug fans gaya tha.harish muskurate hue chai pee rahe the aur newspaper padh rahe the

"Didi ek ladki aayi hai kehti hai yug se milna hai"ghar ki naukrani ne poly se kaha us waqt

"Ladki??KOUN ladki??"poly ne poochha

"Koi rashmi naam hai uska"naukrani boli

"Uhhu...uhhu..."khaansne laga yug

"Ha ha ha"shiksha zor zor se hansne lagi

"Hmm wahi ladki jo hospital me aayi thi"poly ne poochha

"Haan wahi"yug dheere se bola

Aur kya rashmi ander aate hi sabko hi hello karne lagi

"Waise beta acha kiya jo a gayi yahan,suna tum hostel me rehti ho.beech beech me a jaya karo.acha lagta hai"poly boli

"Wah bhaiya Wah ek saath do do gf??kya baat hai??"shiksha ne aankh maarte hue yug ke kaan me bola

Poly ne zor dekar rashmi ko nashta karwaya aur fir yug ke saath school bhej diya

Dono chupchap ja rahe the
Yug ne hi chuppi todi

"Rashmi pata hai tum kamaal ki ladi thi kal.mai to sapne me bhi itna powerful nahi ban sakta lekin tumhara level hi doosra tha"yug bola
Aur rashmi yug ko dekhti rahi

Bachpan se sirf taane sunti a rahi thi,yahi usne apni niyati sochkar bardasht karti ja rahi thi
Lekin aaj yug ne hi tareef ki uski

"Tum ek kamaal ki wife material ho rashmi"yug bola

"K k kya???w w w wife??"rashmi ka dil dhak dhak dhak karta ja raha tha
Chehra laal ho gaya.saansein fookne lagi

"Haan jo bhi tumse shaadi karega uski life set"yug fir bola

Clap clap clap
Taliyan bajane ki awaz se dono usi disha me mude

"Wah yug ji Wah shaadi ka plan bhi kar liya ??"Monica boli

"Rashmi tum jao mai aata hoon"yug bola aur rashmi ek baar Monica ko dekhkar chali gayi

"Monica mujhe laga tha ki hum ek doosre ke life me interfere nahi karenge"yug bola

"Haan kyun nahi abhi interfere karne wali jo a gayi hai life me??"Monica boli

"To usse tumhe kya Monica??"yug ne poochha

Monica ke paas iska koi jawab nahi tha
Gussa aur dukh saath me majboori ghoorne lagi yug ko Monica

"Mai chalta hoon"yug bola

"Mai baat kar rahi hoon na "Monica ne yug ke kameez ko kheenchte hue kaha

Yug ne dekha Monica ke aankhon me aansu the

"Dekho Monica hum sirf ek achhe dost bankar reh sakte hai,iske aage kuch nahi .bye"yug bol school ki aur chala gaya

"Mai bhi tumhare sar se rashmi ka bhoot utarkar hi rahungi"Monica boli
-------------------------------------------------------------------
"Chen ,mark,jise,wan......aajse promote kiye jaate ho"sasuka bola

"Sasuka ji kya mai ye jimmedari nibha paungi??"rachel boli

"Sab thik hoga"sasuka bola

"Waise yug kaisa hai"rachel ne poochha

"Thik hai,waise master kya aap yug ke mask ke baare me pata kar sakti hai??"sasuka bola

"Try karungi,waise mask yug se hi kyun juda hua hai??"rachel ne poochha

"Pata nahi, lekin aapka kehna sahi hai.kyunki agar mask yug se juda na hota to ab tak log use use karna shuru kar dete"sasuka bola

"Aage ka raasta yug ko hi tay karna hoga"rachel boli
 
bhai ap monica ki wakalat karte fir rahe ho.................. sabke comments ko quote karke
yug ne uske sath kya galat kar diya...........
sahil ke sath wo khud chipki ghoom rahi hai............ jabki usi sahil ne monica ko lekar kya plannings ki hui thi, monica ne khud dekha aur suna
yug to use time hi de raha hai.... uske kisi mamle me interfere nahin kar raha

balki monica had darje ki kameeni........ sahil ke sath apni marwati fir rahi hai.........
sahil jaise kameene ko mafiyan de rahi hai...............
jabki yug ne uska kuchh bhi bura nahin kiya.............. fir bhi
yug ki personal life me bewajah dakhal de rahi hai............
rashmi se bina wajah dushmani man rahi hai..............
yug ko jabardasti dusron se dur rakhna chahti hai aur khud sahil ko chhod nahi rahi hai.............

mujhe bahut achchha laga ki yug ne jab is par hamla kiya to ye mari nahi.............
aur ise marna bhi nahin chahiye.......................
balki iski to wo durgati honi chahiye ............ki ye maut ki bheekh mange............
aur maut na mile

kisi ko agar jindgi mein achchha seekhne samajhne ka mauka nahi mila.... to use sikhana-samjhana chahiye...sudharne ka mauka dena chahiye
na ki use duniya bhar ke sath bura karne ka mauka de diya jaye??

emotional chutiyapa mat samjhana mujhe.............mein samajhta nahi hoon
agar wastav mein koi logical wajah ho....aur usko explain kar sako.... to hi reply dena
 
Back
Top