"hello??"yug ne aankh malte hue phone uthaya.
"Uth gaye??ek ninja itni der tak sota hai??bhai kamaal hai"doosri aur se rachel boli
"Oh,good morning master.kaise yaad kiya"yug is baar sahi tarike se bola
"Mission hai tumhare liye"rachel boli
"Sorry master.mummy ne mana kiya hai ek mahine ke liye bahar jaane ke liye,sirf school aur fir wapas ghar"yug dukhi hokar bola
"Aisa jaise chalega yug?? mission ke liye ek ninja ko har waqt taiyyar hona padta hai.hamara clan abhi rebuilding phase me hai,fir aisa kaise keh rahe ho??"rachel
boli
Yug chup tha,baat to sahi hai.lekin wo bhi kya kare ??maa ne apni kasam de di
"Khair apna khayal rakhna .ek mahine tak rest bhi le lo.fir baat karenge .bye"bol rachel ne phone rakh diya
"Hi senior??"ek awaz ne yug ko chaunka diya
"Oh....tum.....shikha ki...."yug yaad karne laga kahan dekha is ladki ko
"Sheetal yaar,bhool gaye??"Sheetal yug ke bed me baithte hue boli
"Ohho yaad aaya lekin tum....yahan...??shikha ka room bagal me hi hai"yug bola
"Usse kya??,kya mai to aapse milne aayi hoon "apne baalon ko sehlate hue Sheetal boli
Yug kaampne laga.ye kya aafat a gayi yahan??
"Waise shiksha mujhe bhaiyya ya bhai bolti hai"yug bola
"To??mai nahi bulaungi, senior sahi rahega "Sheetal haste hue boli
"Lekin kyun ??"yug ne aakhir pooch hi liya
"Because I love you"Sheetal ne fatak se bol diya
"What the.....??shalini... Tum......"yug ne bolna chaha
"Shalini nahi Sheetal.....aap ki Sheetal"Sheetal boli
"Dekho sheetal.ye time padhai ke liye hai,in sab ke liye bohut time pada hua hai,ache se padhai complete karo.kya pata mujhse zyada handsome ya zyada acha ladka tumhe Naseeb ho jaaye"yug ne samjhane ki koshish ki
"Sorry yug ye sab kisi aur ko bolna aaj maine tumhe propose kar dala hai ab koi tumhe mujhse cheen ke to dikhaye"Sheetal confidence ke saath boli
"Tumhare ghar me agar mai shikayat kar doon to"yug ne apna akhiri daanv lagaya
"Kar do yug,waise bhi hamari shaadi bachpan me hi tay hoga to thi.agar yakeen na aaye to poly aunty aur harish uncle se pooch lo"Sheetal ne hakka bakka ho rahe yug ke bed se uthkar jaate hue ek baar yug ki aur dekha
"Ye mat samjho ki sirf tum hi ek ninja ho yug,yahan poori duniya se bohut saare chhupe hue hai.white clan ka naam apne master se pooch lena"Sheetal ne itna hairan kar diya yug ko ki wo kuch sochne samajhne ki sthiti me nahi tha
-------------------------------------------------------------------
Herbert ek vishal mansion yani mahal me baitha hua tha
"Herbert,aur sunao.dark clan abhi bhi top me hai.fir itna tension kyun??"yoshodo ne poochha
"Sir wo ladka khatarnak hai,aur ye mask uske bina use nahi ho sakta ,kya karein???"herbert bola
"Hmm wo mask,kahan hai wo mask??"yoshodo ne poochha
"Hamare paas,kyun??"herbert ne poochha
"Wo mask shaitan ka hai"yoshodo bola
"Kya??saaf saaf bolenge??"herbert ne poochha
"Herbert wo mask shaitan ka hai,jise 8 clan ke master ne milkar zameen me gaad rakha tha kai sau saal pehle,shaitan to mar gaya lekin baaki clan walo ne is mask ko red clan ke master ko gift ke taur par de diya"yoshodo bola
Herbert dhyan se sun raha tha
"Fir wo mask red clan ke master ne use elite ninja ko diya jo kai haath hote hue ahru ke paas aaya jo ek elite ninja tha,aur .ahru ke marne ke baad uska koi pata nahi tha "yoshodo bolta gaya
"Lekin koi use use kyun nahi kar pa raha sir??"herbert ne poochha
"Kyunki use wahi use kar sakta hai jiske paas ninja skills nahi hai "yoshodo bola
"Fir jiske paas bhi ninja skill nahi hai wo ise use kar payega??"herbert bola
"Nahi herbert,us ladke ke paas ek angoothi bhi hogi.agar wo angoothi kisi ko mil jaaye to wo bhi us mask ko use kar payega lekin abhi faayda nahi hai"yoshodo bola
"Kyun??"herbert ne poochha
"Abhi angoothi us ladke ke ungli se ander sama gai hogi.haan agar us ladke ko maar sako to kuch ho sakta hai"yoshodo bola
"Usme koun si badi baat hai"herbert bola
"Lekin red clan ko pata nahi chalna chahiye"yoshodo bola
"Nahi chalega,baaki ke 7 clan to aapke under hai sir,sirf ye red walo ne jhukna nahi seekhna"herbert gusse se bola
"Wo bhi hoga.us ladke ko maar do aur wo mask .unhe laakar do herbert"yoshodo bola
"Zaroor sir zaroor"herbert bola
-------------------------------------------------------------------
Yug school se aate hi poly ko khojne laga
"Maa??kahan ho tum??"yug bechaini se dhoondne laga
"Chilla kyun raha hai,bol"poly kamre se hi boli
Yug drawing room.me aaya to asha dikhai di use
"Hi bua"yug ne kaha aur sofe me baith gaya
"Lagta hai school kaafi tiring thi yug??"asha ne poochha
"Haan aur kya"yug ne bola aur time dekhne laga ki kab asha bua wapas jayegi
Use Sheetal ke baare me poly se urgently baat karni hai jo asha bua ke hote nahi hogi
"Itni chot kaise lag jaati hai baar baar yug"asha ne is baar yug ki aankhon me dekhte hue kaha
Aise kyun poochh rahi hai asha bua
"Aapko Monica ne to bataya hoga jab mai hospital me kaise pohuncha tab"yug ne yaad dilaya
"Is baar ki baat kar rahi hoon yug"asha ne poochha
"Are is baar wo Sheetal ke saath water park gaya tha.chup chupkar plan banaya unhone aur chale to gaye lekin kuch rides me chot lag gayi.sheetal ne sab bata diya mujhe"poly asha se boli
Yug ke dimag se sab bahar ja raha tha
Aur poly ka shaque badh raha tha