[color=rgb(184,]Eesha aur shubham baatein kar rahe the jab yug wahan pohuncha
"are yug??" shubham ko yakeen nahi hua ki yug achanak prakat ho jayega
"Haan mai, kyun nahi milne a sakta tujhse" yug has kar bola
Shubham aur esha ek doosre ko dekhne lage
"shayad tujhe pata nahi yug, maine aur jyoti ne break up kar liya. Mutual tha" shubham bola
"koi baat nahi shubham. Wo tum logo ka personal matter hai jo mujhe ummed hai Saath solve kar chuke ho, mai isliye nahi aaya tha tujh se milne" yug bola
"fir kisliye??" shubham ne poocha
"maafi maangne" yug bola
"maafi??" shubham ke sar ke oopar se ja raha tha sab kuch
"kyunki tu wo shaks nahi hai jise mai dhoond raha hoon" yug bola
"maafi..... Shaks..... Dhoond?? Mere palle kuch nahi pad raha yug" shubham bola
"achi baat hai agar palle nahi pad raha ho to, har Waqt sab kuch samajhna ya samjhana zaroori nahi hota shubham" esha ki aur dekhkar bola yug
"sorry tumhe bhi esha" yug ne is baar esha se kaha to esha ne apni nazren jhuka li
"mana tumne mujhe indirectly bohut sataya hai. Lekin kuch bhi ho sexually kisi ko harass karna justification nahi hota. Maine tumhe zabardasti kiss kiya uske liye sorry" yug bola
"it's ok yug, lekin maaf karna iske baad agar tum mere Saath dosti karne ki soch rahe ho to bhool jao. Mai apna life naye dhang se shuru karne wali hoon yug. Isliye isme tumhari jagah nahi banti" esha boli
Yug bas muskuraya
"chalo abhi. Mai chalta hoon. Fir milenge" yug bola
Agar zinda bacha to. Apne dil ke sochte hue yug chala gaya apne ghar par jahan use ek jhoot ke saath apne safar par nikalna hoga
Ghar pohunchta hi use poly aur harish dono dikhai diye
"paya aapka jo problem tha wo solve ho gaya aapko pata hai na??" yug bola
Harish ye sunkar hairan ho gaya
"yaad hai aapki accident bhi hui thi us wajah se. Wo zameen jo aap dena nahi chahte the??" yug ne poocha
"Haan beta lekin kya hua uska?? Mai to bhool hi gaya tha" harish ba
"papa wo aadmi police ke hirasat me hai. Usne apna gunah kabool kariya hai. Aap aur aap jaise logo se shayad police statement legi.lekin ab aap safe hai" yug ko pata hai ki uske lie chen ne poora Saath diya hai aur usi ki wajah se ye possible ho paya hai
Sab kuch thik karke Jaana chahta tha yug Taaki kisi ko koi dukh koi takleef na ho uske Jaane ke baad
"acha wo baad me kal asha bua a rahi hai kar dher Saara kaam karna hoga yug. Sunday hai teri chutti bhi hai. Ab tujhe meri help karni hogi is shiksha se to kuch hota nahi hai" poly shikayat karte hue boli
"usi maamle me ek baat bolni thi mummy" yug bola
"kya beta??" ploy ne poocha
"mujhe kuch dino ke liye Jaana Hai Ek project ke silsile me kal subah, kuch hi din ki baat hai" yug bola
"ye sab pehle kyun nahi bola yug, sorry mai iski izazat nahi de sakti" poly boli
"lekin maa agar nahi gaya to grades me problem ho jayega" yug ne apna tark diya
"sorry yug no yani nahi" poly boli
"to thik hai. Kal ko agar grades kam aaye to bolna mat" yug bola
"Jaane do na poly abhi bachha thodi hai" harish ne is baar yug ko support kiya
"lekin...." poly ka man bilkul nahi tha harish ki baat Maanne ke liye
Lekin harish ke samjhane bujane par aakhirkar Maan hi gayi
----------------------------------------------------------------------
"Yoshodo Humne apna paksh rakh diya hai" vridh bole
Yoshodo haath aur sar jhukakar khada tha vridh ke saamne
"aapko to pata hai, ye war aapke permission ke bina nahi hogi" yoshodo bola
"pata hai isliye hum is ladai ka samarthan nahi karte kitni laashien bichengi is war se andaza bhi hai tumhe??" vridh bole
"lekin red clan wale taiyyar hai, aur ladai ke liye unhone hi pehel ki hai" yoshodo bola
"to baat karo unse, chahiye to hum baat karenge. Is ladai ko taalna hoga yoshodo, ye sab tumhari oonchi mahatwakanshao ka natija hai ki dark clan mar rahi hai dheere dheere Naam dark clan isliye rakha gaya tha ki ye clan sabko andhere se bahar nikalega, isliye nahi ki khud andhere me doobta jaaye "vridh bole
" to aap is ladai ka permission nahi denge?? "yoshodo ne poocha
" nahi"vridh bole
Tabhi achanak vridh ke gale me yoshodo ka haath a Jaata Hai aur wo apne aap ko yoshodo ke saath jungle me paata hai
"akkkkk kkya akkkkk kar rahe ho yoshodo" vridh chatpatate hue bole
"aapke chalte ye war hogi nahi mahatman isliye aapko marna hoga" yoshodo bola
"akkkkk kyun" vridh ki saansein lagbhah band ho chuki thu
"kyunki ilzaam red clan par ayega, aur isi aad me mai is war ko shuru karunga, mujhe sirf clan nahi chahiye mahatman poori duniya chahiye" yoshodo aankhen badi badi karke bola
KARDDD
gardan ki haddi toot chuki thi us vridh ki
Yoshodo ne ek kapda nikal kar vridh ke gale me daal diya
"ab aisa toofan aayega is mout se ki poora ninja clan hil jayega" bol kar gayab ho gaya yoshodo[/color]