Update 19
Ab agley din se Vijay ne sach much University jana bandh kar diya. Subha ko utha to sir phat raha tha dard se, Pooja se ussne nimboo paani mangwaya aur piya, phir bhi sar ka dard weise ke weisa hi tha..
Vijay ki maa ne uss se baat ki ke yeh aakhri saal hai usska university ka, to patience lekar yeh baaki ke 8 mahinon ko finish karlein.lekin Vijay kuch sunna nahin chahta tha aur naha dho kar kahin chala gaya saverey saverey.
Ghar par usski maa aur Pooja bahot pareshan the ke woh phir se pee kar ayega ya kahin kuch kar baithega.raat ko jab woh ro ro kar gana gaa raha tha to Pooja andar bahot ro rahi thi. Pooja ne apni maa se kaha ke woh Aisha se baat karney jayegi lekin usski maa ne ussko mana kiya. Aur kaha ke woh Vijay ke liye ek ladki dhundegi. Pooja ne kaha ke Vijay kabhi bhi kissi aur ko apna nahin banayega, woh apney bhai ko achchi tarah se jaanti thi. Woh janti thi ke Vijay Aisha se sachcha pyar karta hai aur kabhi bhi kissi aur ko pyar nahin kar payega.
Lekin usski maa ka kehna tha ke Vijay ki zindagi mein agar koyi dusri ladki ayegi to woh Aisha ko bhuladega. Lekin Pooja ne kaha ke kabhi bhi eisa nahin hoga, agar kissi khubsurti ki rani ko bhi agar Vijay ke liye laya jaye to bhi woh Aisha ko nahin bhoolega, aur kissi rani ko bhi pyar nahin kar payega.
Pooja bilkool thik kehti thi. Vijay sach mein kissi ko bhi kabhi bhi apna nahin payega kyun ke uss ke liye Aisha hi uss ka sab kuch tha. Usska pyar sachcha tha aur uss ke dil mein koyi aur bhi nahin bass sakti thi. Pooja sach mein apney bhai ko bahot achchi tarah se janti thi.
Vijay sheher mein thoda ghumney ke baad din ke barah bajney ke baad bina kuch khaye piye, jewelry ker pass waley restaurant mein gaya aur pina shuru kiya.. Usski nazron ke saamney sirf Aisha ki tasveer dikhayi de rahi thi.. Woh pitey pitey gungunaney laga aur roney laga restaurant mein hi.. Log ussko dekh kar hans rahe the.. Restaurant ki maalik ne ussko baahar janey ko kaha kyunke aur bhi customers the wahan, awratein bhi the, aur Vijay uss mahaul ko bigaar raha tha rokar.. To uss ko baahar nikaal diya gaya.. Woh ab baahar raastey mein rotey huwe gana gaa raha tha din daharey.. Mohaley ke logon ne dekha aur uss ke ghar tak khabar pohonch gaya.. Pooja aur usski maa main road par nikley uss ko dekhney ke liye..
Wahan to Vijay ki larayi ho rahi thi uss gundon se jinhon ne Vijay ko bura bhala kaha aur kaha ke ab Aisha ko woh log rappe kareinguey. unhon ne kaha ke ab to har roz woh log Aisha se mazaaa karney jatey hein..iss wajay se nashey hi ke haalat mein Vijay ne un logon se larayi ki aur lahu lohaan hogaya.. Nashey mein tha iss liye woh larr nahin paya aur unn logon ne Vijay ki khub pitayi ki, badla liya unn logon ne pichley baar ki, jab Vijay ne unn logon ko pita tha usske..
Jab Pooja ne dekha kuch door se ke larayi horahi hai to woh dawdtey huwe wahan ponhchi, tab woh gundey larkey bhag gaye aur Pooja Vijay ko sahara dekar ghar ki taraf wapas layi. Vijay ke chehrey se bahot khoon beh raha tha, honth, jabra, aur enkh ke nichey ke chamri phat gaye the ghunsey lagney se, aur bahot khoon beh raha tha, yahan tak ke Pooja ke dress mein bhi khoon lag gaye..
Usski maa aur Pooja ne uss ko sambhaltey huwe ghar ke andar legaye. Kaajal ne ghar ke andar se dekha to jaldi se woh bhi Vijay ke yahan gayi. phir thori der baad Vijay ki badi chachi aur usski badi bahu bhi Vijay ke ghar ko gaye, unn logon ka ghar to main road ke nasdik hai nah, to koyi bhi jab Rhanveer lane ki shuru mein khara hota hai to unn ke ghar ke andar se sab dikhayi deta hai, (aap log pehla page par sketch par dekh saktey hein)... To jab yeh sab log Vijay ke yahan ja rahe the to Aisha ki maa ne notice kiya aur uss ko heirani huwi ke kia huwa jo bade chacha yahan ke saarey log Vijay ke ghar ko jaa rahe hein, to ussne Aisha ko kaha aur donon maa beti Aisha ke kamrey wali khirki se Vijay ke ghar ke taraf dekh rahe the.
Lekin Vijay ke yahan to sab log Lounge mein the, Vijay ko ek sofe par letaya gaya tha aur, Pooja khoon ponch rahi thi, aur patti kar rahi thi..
Aisha ki maa wapas kitchen mein chali gayi aur Aisha ko kaha ke kuch nazar aye to uss ko bulana.Aisha wahin khari rahi apni khirki ke paas aur Tiger ko cherr rahi thi, Tiger uss ko dekh kar apna poonch hila raha tha aur kudd raha tha..
Vijay ne Pooja se kaha ke woh ab apney bistar par jayega, lekin Pooja ne kaha, "Bhai, mujhey lagta hai ke hospital jana chahiye, stitches lagana chahiye, ghaw gehrey hein, khoon ruk nahin raha hai.. Vijay larkharatey huwe utha aur apney kamrey ke taraf janey laga, lekin ussko saaf dikhayi nahin de raha tha kyun ke enkhon par chot lagney ki vajay se enkhen soojh gaye the aur motey ho gaye the.. Woh apney kamrey mein ghustey hi bistar par girr para.. Pooja usske pichey pichey gaya, aur uss ne dekha ke Aisha apni khirki ke paas khari issi taraf dekh rahi hai..to Pooja, Vijay ki khirki ke paas gayi aur Aisha se bahot zor se ghussey mein kaha, " Ab tumhari kalejey ko thandak ponchi? Khush huwi ab tu? Dekh mere bhai ka kia haalat hogayi hai tumharey waja se..." Aisha ki samajh mein kuch nahin araha tha aur poocha, "Kia huwa?" Jab Vijay ne Aisha ki awaaz suni to jaldi se bistar se utha, yeh kehtey huwe Pooja ko, "Kiss se batein kar rahi hai tu? Kiss ko itni zor se dant rahi hai tu Pooja? » Tab tak Vijay Khirki ke paas poncha aur usske saamney Aisha khari huwi dikhayi di. Vijay ka bolna bilkool bandh hogaya aur ussko saaf to nazar nahin dikh raha tha, iss liye ek enkh ko bandh karke sirf ek enkh se Aisha ko dekh raha tha, lekin jeise Aisha ne Vijay ke chehrey ko khoon se laal dekha to chonhki aur apni haath ko apni munh par dabakar andar bhaag gayi.
Pooja bahot ghusse mein Aisha ke khirki ke taraf dekhti rahi. Vijay bhi udhar dekhta raha ke shayad woh phir ayegi... Pooja soch rahi thi ab woh darwaze se baahar nikal kar Vijay ko dekhney ko ayegi. Vijay bhi eisa hi soch raha tha...
Lekin wahan to Aisha ko bilkool pata nahin tha ke Vijay ghar par hai, woh soch rahi thi ke uss waqt to woh university mein hoga, aur woh khirki ke paas iss liye khari thi ke woh Kissi se puchey ke kia huwa ke bade chacha ke sab log wahan aye hein.. Aur Vijay ko uss haalat mein dekhney ke baad Aisha ne apni maa ko kaha, to woh ayi khirki ke paas Aisha ke kamrey mein... Vijay ne ussko dekha to larkharatey huwe zubaan mein kaha, « Chachi, Aisha ko bulawo nah please main uss se kuch kehna chahta hoon.. » Chachi ne phukara Aisha ko, ek baar, do baar, teen baar.woh Aisha ka naam phukaarti gayi lekin Aisha nahin ayi.. Pooja ko ziada ghussa aya aur kaha, « Kyun ayegi woh ab ? uss ko khushi ho rahi hogai Vijay ke ye haal dekh kar. » Vijay ne Pooja ke munh par apna haath rakha aur dhirey se kaha, « Shuuuuuut ! chup kar. Meri Aisha ko kuch eisi weisi batein nahin kehna hai, chup kar ! »... Aur Vijay ki chachi afsos ke saath Vijay ko dard bhari enkhon se dekhta raha.phir Vijay bistar par letgaya... baaki ke log jo bade chacha ke yaha se aye huwe the, sab kamrey ke andar aye aur khirki se Aisha ki maa se kuch batein karne laguey... Vijay ko achcha nahin laga aur sab ko janey ke liye kaha... to sab chale gaye...
Vijay ne enkhen bandh ki aur uss ko neendh agayi...
To be continued.........