• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Indian Porn Kahani DIL,DOSTI AND REVENGE

UPDATE 60

Ham sab khus the hamara pehla mission successful Raha tha. Ghar aake dinner kiya and Radha ke sath thodi masti ki. Or so gye. Next day bhi kuch khass nhi hua. So ab chalte hai 3rd day. Aaj hamare CLG ka annual function tha and usme Vidya ne gaana gana tha. To hum sabhi kabfi existed the. Function sham ko tha to hum sab log din me shopping KE liye chale Gaye. Hamne dher sari shopping ki. And Bahar hi lunch karke Ghar aa Gaye. Clg Jane ka time bhi ho Raha tha to sab badiya se ready hue. Mene bhi ek taxido pehan liya. Kyuki clg me koi bhi nahi aane Wala tha ye pahan Kar. Or Radha or Vidya ne bhi bahut khoobsurat dresses pehni. Me to dono ko dekh Kar confused hi ho gaya ki dono me SE jyada Sundar kon lag rahi hai. Dono kuch is prakar ki lag rahi thi. Dono ne gown pehna hua tha.

h1Sn35MoDuIjypS4J7T-bgdQP3AP7JXEGBiUgtUAGREg1g686aYyKucPMTopC3ZCanwNfr2q5W06eyGhx5TITZ0Ts9rO8-QbWRFfvA3zwn2cDVtsmgNzy19uDs5v68J7YgUksicO


Radha.

xfPqCAbwi9Pl2ssouHQ_84VLR4iaWRRglR2cXkl5sSKB62zy0F-DdW39uWPBiyIrx0Njsr-6HOGWkNUmaCd6yDWslVrA0wsbda_pNqb3ZbLUEZL58GnDzMUdbpuIIiyatAzy4dCB


Vidya..

Bahut hi pyari lag rahi thi dono.

Khair bua ne apna bahi roj ka kiya hum teeno ko kala teeka lagaya. And Mene bhi dono ki thodi tarif Kar di jisse vo dono bahut khus ho gyi.

Uske baad hum apni car me baithe.
XWGJ-FYY0jDp4haWODOA06WS7Ygd1ntb9I9a3Knm3Gk6VMkh_1YrPkMLzK8DhFZ_JM1ZnXodKGGkQaeTthkg0MKFCuid2Wpf6q7uIHgNOzzm6zTS1F8Ylw4f_8EClf6uEaoCQkZB


And CLG nikal Gaye. Ham clg pahuche. Gadi ko park karke Bahar aaya. To clg ki aaj ronak hi kuch alag ho rakhi thi. Bahut hi khoobsurat sajawat ki gyi. Thi. Khair ham andar Jane lage mere ek tarf Radha thi to ek taraf vidya. Dono hi mere hatho me apne hath Dale hue thi. Hum aage Gaye to Mujhe hamare dost dikh Gaye.unhone jab humko dekha to teeno ki jamkar tarif Karne lage.

Main- kyu yaar Meri jhuti tariff Kar rahe ho. In girls KE aage to koi hame dekh bhi nahi Raha hai.befaltu me ye suit bagera pehan ke aaya.

Karan- sahi kaha tune. Mene bhi ye jackets bagera me bahut kharcha Kar diya lekin yaha koi tarif hi nahi Kar Raha hai.

Radha- to Bhai sabhi ko khubsurat logo ki hi tariff karna pasand hai. Tum jaise logo ki nahi. Kyu Diya.

Diya- sahi kaha. Vo to sukr manao ki hamare sath khade ho to kuch log tumhe dekh bhi lenge. Nhi to koi dekhega bhi nahi tum logo ki taraf.

Main- yaar Karan ye to apni ensult karti hi ja rahi hai.

Karan- ha yaar inhe dikhana hi padega ki ham bhi kisi se Kam nhi.

Vijay- yes ho Jaye. Bahut hua inka.badi hamse thodi tarif Kya sun leti hai. Aapne AAP ko miss world samajme lagti hai ye log.

Shekhar- yes. To thik hai. Girls AAP apni party enjoy Karo or hame akela chhod do. Fir dikhate hai.ki ham me kitna dam hai.

Main- yes aap log apni party enjoy Karo hum apni karenge. Fir dekhte hai hame koi bakai me dekhta hai ya nhi.

Radha- soch lo nahi to baad me hamare pass akar kahoge ki yaar koi nhi mil Raha tum log apne sath hi khada Kar lo hame.

Main- soch liya. Aaj chahe kuch ho Jaye. Jab Tak Ghar nhi Jana hoga tab Tak tumhari taraf dekhenge bhi nhi. Kyu bhaiyo.

Sab- yes ham nhi dekhenge. Jab Tak Ghar Jane ka time nahi hoga.

Vidya- ok to hum bhi nhi dekhenge.jab Ghar Jane ka time ho to hame bula Lena usse pehle nahi.

Main- Ok ab tum log nikalo.

Uske baad bo log apne group ke sath chali gayi. Unke group me

Radha,Vidya,Diya,Ami,Riya thi.

And hamare group me

Main,Karan,Vijay,and sekhar the.

Main- karan kuch bottle ka intjaam Kar fir inko dikhate hai ki ham Kya cheez hai.mere pass ek idea hai.

Fir Maine ek idea unko diya jisse bo sabhi kush ho Gaye.

Then thodi der baad Karan 8 beer ki bottle le aaya or humne ek sunsaan so jagah dekh Kar bahi baith Kar peene lage. Peene KE douran mene Karan SE kaha.

Main-. Bhai baki ka kaam bhi Tere hi hawale hai. Tujhe hi sab intjaam karna hoga. And usme koi kasar nhi rehni chahiye. Agar nahi hota to abhi bol do.

Shekhar- bhai mere se bina practice KE sayad thik se nahi ho payega.

Vijay- ye to kisi SE nahi ho payega. Lekin hamne practice to Kal ki hai na.fir kyu tension lete ho.

Karan- or baki kisi bhi cheez ki tension na lo Mene Kal hi sab intjaam Kar diya tha. Aaj ye hamari girls party sabhi surprise ho jayegi jab hame dekhengi to.

Main- ha ye theek rahega. Bese bhi unko hamse door karne ka yahi ek tarika tha ab jab bo hame dekhengi to shock or surprise ke mile Jule bhaav honge unke.

Chalo jaldi sab khatam Karo and fir hame ready bhi hona hai.

Uske baad hamne jaldi se sari beer gatak li. And baha SE uth Kar apni jagah le li. Jaise ki jaha se Radha ki najar mujh per pade me baha khada ho gya or kisi dusri ladki ke sath flirting karne laga. Or vo ladki bhi Mujhe achha baav de rahi thi. Or jab Mene tirchhi nigaho se Radha ko dekha to uska chehra hi Bata Raha tha ki kitni jal rahi hai vo. Khair Mujhe to bahut maja aa Raha tha. And baki ke log bhi kisi na kisi ke sath lage hue the. Or baki ladkiya bhi unhe dekh Kar jalbhun rahi thi.

Uske baad stage per principal aaye or thoda lecture dene lage. And fir thodi trophi bagera bati gayi. Jisme hamare group ke bhi lagbhag sabhi log the bas Diya or Ami ko chhod Kar. Hame bhi trophi mili ham stage per Gaye. Uske baad sir ne thoda or lecture diya. Fir chale Gaye. Uske baad 1ladka or 1 ladki stage per aaye or apni stage hosting karne lage.

Vo log jin Jin KE performance hone the un sab ko stage KE peechhe aane ka bol rahe the. Fir unhone 1-1 karke sabhi ko bulane lage and jinka Jo bhi performance tha vo Kar Kar ke nikal rahe the.

Karib 50 logo ka performance tha. Jinme SE karib 20 log apna apna Kar chuke the. Then uske baad Diya ka naam anounsment hua. To bo stage per aayi. Or apna performance karne lagi. Usko dance karna tha. Or usne gana bhi gajab ka chuna tha.Akh lad jave. Kya gajab ka dance Kar rahi thi yaar Mene Vijay ko dekhkar aankh maar di jisse vo sarma gaya. Lekin bakai me gajab ka dance Kar rahi thi. Uske dance KE baad hum sabne bahut hi clapping ki Vijay to seat per khada ho gaya and jor jor SE clapping Karne laga. Kahir usne sabhi ka abhibadan swikar kiya or neeche chali aayi.

Main- vijay beta ab to baith ja neeche. Vo bhi aa gyi hai neeche.

Ye sunke vo jhemp gaya. Or fatak se neeche baith gaya. Fir or bhi log aate rahe and performance karte rahe. Karib 40 logo ke baad no. Aaya Vidya ka. And vo jab stage per aai to sabhi ne uska taliyo KE sath swagat kiya and fir usne apna gaana gana suru kiya.

Uske gaane KE bol bahut hi lajawab the and uski voice to poochho hi mat kitni meethi aawaj thi uski. Uska gaana tha.

"NAINO KI JO BAAT NAINA JANE HAI"

Kya gajab ka ga rhi thi lekin ek baat ajeeb thi usne poora gana Meri taraf hi dekh ke gaya. Jaise Meri aankho me aankhe daal rahi ho. And me bhi usi ko dekh Raha tha. Uska gana kab khatm hua Mujhe pata bhi nhi Chala me itna kho gaya tha uski aankho or uski aawaj me. Jab sab ne milkar taliya bajai tab Mujhe hosh aaya. Or Mene bhi jordar taliya bajai. And sheet SE khade hoke. Jisse uske chehre per ek pyari muskaan khil gyi. Uske baad vo neeche aa gyi. Or ab ham sab bhi gayab ho gye kaha gye kisi ko pata bhi nhi Chala. Radha bagera hamari taraf dekh rahi hongi lekin unhe hum dikhe hi nhi honge. Tabhi sham ki last performance ki anounsment hui. And stage per Jo log aaye unhe dekhkar hamari sari girls bilkul shock ho gyi.

To be continued......
 
UPDATE 61

Jab sari girls shock hui or hamare chehre per badi si smile aa gyi. Ji ha ye log or koi nahi ham Charo hi the. Maine apne boys group ka naam ek group dance KE liye likhwa diya tha. And kafi pasina bahaya tab jakar hamari rehearsal poori hui thi. Joki ab hame perform karna tha hamara gaana tha." Galti Se Mistake" or hamne aisa perform kiya ki sabhi log hamare dance ko bahut enjoy karne lage khas Kar hamari girls. And hamne dance ko thoda funny choreograph kiya tha. Jisse logo ko thodi hasi bhi aa rahi thi.

Jab hamara dance khatam hua to sab ne bahut bahut taliya bajai. And hamne unka abhibadan kabool kiya. Then uske baad Mene us ladke se Mike liya and.

Main-. Hello guys I hope ki aap sab logo ko hamara dance pasand aaya hoga.

To sabhi bahut jor SE ha kehne lage.

Main- thanks everyone. Ab me ek or performance karna chahta hu àap logo ke samne. Lekin ye dance nahi hai. Me AAP sab KE saamne ek gaana gana chahta hu. Jo filhal Mera favorite song hai. And uske liye me Vidya and Radha ko stage per bulana chahta hu.

Uske baad sabhi me Radha or Vidya ke aane per fir se taliya bajai. Khair Radha ko singing nahi aati thi or song duat tha to Mene Vidya ko bhi bula liya. Jab bo dono uper aayi to Mene Vidya ko gane KE bol batay. Or usse pochha ki iski lyric yaad hai to usne ha me sir hila diya.

Or Mera gaana suru hua. And song KE bol the.

""Pal Pal Dill Ke Pass""

Or hum dono ne milkar ise gaya. And ye song only for Radha ke liye tha. Mene uska hath pakad Kar poora gana gaya. And Radha ki taraf SE Vidya ne gaana gaya.

And jab hamara gaana khatam hua. To sabhi ne kurta faad taliya bajai. Jisse Mujhe bhi lagne laga ki Bollywood me as a singer try karna chahiye Mujhe. And Radha ne to Mujhe baha sabhi me saamne hi hug Kar liya. And Mene bhi. Tabhi Mujhe hosh aaya ki ham kaha khade hai to Mene Radha ko alag kiya. Jisse bo or sarma gyi. And Mene Vidya ko bhi ek chhota sa hug kiya. Fir aaj ka function end ho gaya. Sabhi log apne apne Ghar Jane lage. And hamara group bhi Bahar aaya to ladkiya to pagalo ki tarah react karne lagi.

Radha- to isiliye tum log humse alag hue the.faltu ka bahana bana Kar.

Main- ha or nhi to Kya. Agar Bata KE jate to tum logo shocking reaction kaise dekhte.

Vidya- shocking to the lekin entertaining bhi tha. And tumne kabhi bataya nhi ki tum itna achha ga lete ho.

Main- Mujhe bhi aaj hi pata Chala. Jab sab logo ne itni taliya bajai. Ab soachta hu. Ki Bollywood me debue Kar hi lu.

Vidya- I must say tumhari voice bahut hi gajab ki hai. Jab tumne gaana gaya to Mujhe to yakin hi nhi hua ki Kya bakai me ye tumhari voice hai. And tumne sare sur bhi achhe se lagaye.

Main- me to time pass singer hu. Lekin tumhara mukabla koi nahi Kar sakta. Kyu yarro Kya kehte ho Vidya ki voice ke bare me.

Karan- yaar Sach kahu Vidya. Mera pehla reaction ye tha ki kahi koi recording to nhi chal rahi or tum keval apne both hila rahi ho. Kyuki yaar itni gajab ki aawaj thi ki me to kho hi gaya tha. Vo to ye shekhar ne Mujhe bapis laya Verna me to abhi bhi sayad bahi baitha hota.

Uski ISS baat per ham sabko hasi aa gyi.

Main- Kya yaar sekhar kyu bapis laya bechare ko. Kho Jane diya hota.

Shekhar- vo apna dance aane Wala tha na is liye. Verna me to iski taraf dekhta bhi nahi.

Or ISS baat per sab log fir SE hasne lage. Aise hi hasi majak karte hue ham apni gadiyo KE pass pahuche.and sabko byy bola or Kal Milne ka bol KE nikal Gaye.

Ham log raat ke 12 baje Ghar pahuche. Bua abhi bhi jaag rahi thi.

Bua- kya baat hai badi der Tak Chala function.

Radha- ha mummy ye Bhai ne bhi perform kiya tha. Sabse last inhi ka tha verna ham pehle aa jate.

Bua-. Kyaaaa. Tune Kya perform kiya tha.

Main- bua dance and sing. Dono.

Bua- hayyy Mera bachha multi talented hai. Kisi ki najar na lage.

Or mere sir SE balaye lene lagi.

Fir Radha ne unko Vidya and hamari performance KE bare me sab Bata diya. Jis per bo or khus ho gyi.

Uske baad hum log aapne apne kamro me Gaye. And fresh Hoke kapde change kiye. Or so gye.

Next morning...

Me apne time se utha Radha ko uthaya. And fresh Hoke apni exercise karne Chala gaya. Baha Bhai as usual pehle se hi moujood the. Hamne bate karte karte apni exercise karne lage.

Uske baad naha KE ready hoke neeche aa gaya. Baha nasta kiya and uske baad ham teeno CLG KE liye nikal Gaye. Baha sab SE mile and. Vo din bhi aise hi gujar gaya. Sham ko ham clg se laut rahe the ki ek signal per Mene gadi roki or signal khulne ka wait karne laga. Signal per jyada gadiya nhi thi. Tabhi baha per ek ladki ki jor jor SE bachao bachao chillane ki aawaj aane lagi. Hamne aas pass dekha to ek ladki bhag rahi thi and uske pechhe kul 10 log bhag rahe hai. Uska peechha Kar rahe the. Or ladki ki halat hi Bata rahi thi ki unhone uske sath Kya sulook kiya hoga.

Mera anger bad gaya. Or Maine bina signal ka wait kiye. Gadi ko aage bada diya. And vo log jaha bhag rahe the unke peechhe hi gadi laga diya. And abhi bo kuch samaj te Mene gadi se in sab ko thok diya. Achhi speed SE gadi ja rahi thi. To Mene bhi break nahi lagaya and un sab KE pichhwade me Meri gadi ko thokta Chala gaya. Jab sab neeche gir Gaye. To Mene fir gadi ko roka. And us ladki ko awaaj di. Jo abhi bhi bhag rahi thi. Meri aawaj sunke bo ruki and pechhe mud KE jab usne dekha to uski aankhe hi fati reh gayi. Kyuki baha sabhi neeche gire karah rahe the. Kisi ki taang tuti thi to kisi ka hath.vo mere pass aayi.

Main- aap ko ghabrane ki jarurat nhi hai. Aap job hai or ye log kon hai or kyu aapka pechha Kar rahe hai.

Mere itne sare sawalo sunke vo confuse so ho gyi. To Radha aage aayi or usko sambhala. Or fir usne pyar se pochha to usne bataya ki.

Ladki- ji Mera mama Divya hai. Ye log kon hai pata nhi lekin ye log Mujhe kidnape karne ki kosis Kar rahe the. Bus fir Kya me apni jaan bacha Kar bhagne lagi. Kisi ne Meri madad nhi ki. And ye log bhi mere peechhe hi bhagne lage.inhe bhi kisi ka dar nhi laga.

Per AAP aagye warna pata nhi agar ye log Mujhe pakad lete to Kya hota.

Tabhi baha per police ki gadi aa gyi. And jab unhone baha ka haal dekha to foran pochha ki kisne inhe thoka hai.

To Mene apna hath utha diya.

Or jab usne mujhe dekha to uski haalat hi patli ho gyi. Kyuki ye bahi SI tha jise kuch din pehle comm. Uncle ne suspende kiya tha Meri bajah se.

Me aage aaya or uske pass jakar dheere se bola.

Main- jyada natak karne ki jarurat nahi hai. Bus in sabko pehle hospital le jao and uske baad police station le Jana and pochhna ki ye kiske liye kaam karte hai. Kyuki inhone us ladki ko kidnape karne ki kosis ki hai. Chahe to uska byaan bhi le lo.samjhe.

Usne ha me mundi hilayi. Fir usne turant ambulance ko bulaya and un sab ko andar kiya. Or ladki ko police station aane ka kehne laga to Mene usse kaha ki me le aaoga. Tum nikalo.

Uske baad bo Chala gaya. And Radha ne usko gadi me baithaya. Or ham seedhe pahuche police station.

To be continued.....
 
UPDATE 62

Jab ham baha pahuche to bo SI baha pahuch chuka tha. Mene Divya SE kaha ki Jo Jo hua hai vo sab detail me Bata do. Uske baad Divya ne sab kuch detail me Bata diya. And fir usne bhi 2-3 sawal pochhe ki koi dushmani bagera. Lekin uski kisi SE koi dushmani nahi thi. Then usne FIR file Kar di. And un logo ka abhi ilaaj chal Raha tha. Uske baad bo unhe custody me Leta. Uske baad hamne Divya ko uske Ghar chhoda and usne bahi apna thanks kaha. And Mene bhi usko same jawab diya ki koi baat nhi.

Fir hum apne Ghar aa Gaye. Thoda late ho gye the to bua pochhne lagi ki kaha the to Mene aise hi koi bahana bana diya. Fir sham ko me pahucha apne base per and sab SE haal chal Jana ki sab badiya hai ya nhi. Tabhi Bhai baha aaye or kehne lage.

Bhai- yaar fufa ko koi tang Kar Raha hai.

Main- what. Ye aap Kya keh rahe hai. Fufa ko koi kese tang Kar sakta hai. Vo to apan SE bhi jyada powerful hai.

Bhai- yaar koi unka compititar hai. And koi tender ko leke dhamki de Raha hai. Fufa ne use samjhaya to unke sath missbehave karne laga. Sayad ISS sehar me Naya aaya hai. Unko theek se jaanta nhi hai.

Main- aapko ye baat kaise pata chali. Kyuki fufa ne to aapko bataya nhi hoga.

Bhai- ha unhone kuch nhi bataya. Vo to office me Kai baar ja Chuka hu to baha ke maneger me Mujhe inform kiya hai.

Main- kon hai kuch pata chala. Uska office kaha hai.bese aap ye sab mujhse kehne kyu aaye hai. Aap khud bhi to handle Kar sakte the ye sab.

Bhai- mene sab pata Kar liya hai. Ye Raha uska address and uska naam hai Bhanu. And Mene tumhe ye sab is liye bataya hai. Kyuki Mujhe fufa KE sath abhi 2 dino KE liye USA Jana hai. Unki baha koi important meeting hai. So ye metter tum sambhalo..or fufa ko pata na chale aise karna.

Main- Ok aap log niklo me ise abhi jakar dekhta hu.

Uske baad Bhai chale Gaye. And Mene rishi ko sath liya and apni gun leli. Sath me. Rishi ne bhi apni gun le li.

Me apni car me baitha or chal pada uske office ki taraf. Karib 30 min. Me uske office pahuch gaya.

Mene apni gadi ko park kiya or uski building ko dekhne laga. Karib 5 manjil ki hogi. Rishi ne reception per uske office ka pata pochha to usne bataya ki top floor per hai. Bus hamne iske aage ki uski baat nhi suni or chal pade lift ki ore. Lift se 5th floor per pahuche. To uska office samne hi tha. Karib 3 log Bahar khade the baha. Me aage bada ja Raha tha. To unhone Mujhe rok liya Mene apni gun nikaal KE turant unki tanngo per goli Chala di. Or me andar Chala gaya. Andar 2 log the. Or yakinan unme SE ek Bhanu tha. Me uski chair per baith gaya.

Bhanu- kon ho tum log or yaha kaise chale aaye.

Main- koi bhi ho. Lekin jab sehar Naya ho to aate hi kisi SE panga nhi Lena chahiye. Pehle jaan Lena chahiye ki jisse me panga lene ja Raha hu kahi vo Meri hi gand na maar de.

Bhanu- mind your language. Or tum kiski baat Kar rahe ho.

Main- bese tu hai kon or yaha tu business karne hi aaya hai ya dadagiri karne.

Bhanu- me to yaha business karne hi aaya hu lekin sath me dadagiri bhi karunga. Kyuki yahi apne business karne ka style hai. Ab tu Bata ki tu kon hai.

Main- ek or sawaal. Tera family background Kya hai.

Bhanu- kyu Taki baad me mujhse mafi maang sake. Mere Papa Delhi KE MLA hai. And unki bahut chalti hai baha.unke aage to CM bhi sir jhukata hai. Yaha ka bhi or baha ka bhi.

Main- aisa Kya. Chal dekhte hai. Tere Papa ka naam Bata.

Bhanu- shyam Singh.

Mene turant hi CM ko phone lagaya. Yahi ke.

Main- hello sir Surya bol Raha hu.

CM- are beta aaj Suraj paschim se nikala tha Kya Jo tumne aaj Mujhe phone kiya.berna tum to apne HM ko hi phone karte ho.mujhe to yaad bhi nhi karte.

Main- are uncle aap to sharminda Kar rahe hai Mujhe. Kabhi aapke leval ka kaam hi nahi pada mujhe. Isliye aapko bebajah pareshan nhi kiya karta tha. Or AAP per pore state ki jimmedari. Hai na ki Meri akeli ki.

CM- chal Jo bhi ho tu haal chal puchhne KE liye to phone Kar hi sakta hai na.

Main- uncle Sach bolu to aaj Kal CLG or Ghar SE free hi nhi ho pata hu issliye jayada kisi SE baat nhi ho pati hai. Lekin me aage se aapko hafte me 1 baar jarur phone karunga.

CM- chal mere liye yahi kafi hai. Achha ab ye bata ki Kya kaam hai mujhse.

Main- uncle ye shyam Singh kon hai AAP jante ho Kya use.

Mene phone ko loudspeaker per kiya.

CM- ha ye to Delhi KE secret ka MLA hai. Kyu Kya hua.

Main- jyada kuch nahi uncle. Yaha uska beta business karne aaya hai or aate hi fufa ko dhamki de Raha hai. Mene isko samjhaya to kehta hai. Ki mere Papa ke aage to yaha ka or baha ka dono CM sir jhukata hai. Kya ye Sach hai.

CM- beta CM hu. Koi rahchalta insan nhi. Jo kisi bhi airegaire KE aage sir jhukao. Or uske bete be galti to ki hai uski saja bhi milegi. To ruk me 10 min me phone karta hu.

Main- Ok uncle.

Uske baad phone Kat gaya and Mene use kaha.

Main- 10 min. Rook tujhe Teri okaat batata hu me. Or bese bhi tune mere fufa ko dhamki deke seedhe apni mout ko bula liya hai.abhi Mene itni hi baat ki thi ki uska phone Baja.

Usne uthaya or baat karne laga.

Usne jitni bhi baat ki uske hosh ude dikhe. Mene TV ko on kiya or breaking news. .

Delhi KE MLA shyam Singh ko unke pad sahit party se barkhast Kar diya gaya hai. Kaaran hai unke Ghar SE karib 50 crore ki bleck money baramad hui hai. Ek hi jhatke me shyam singh sadak per aa gye hai. Paisa bhi gaya and power bhi.

Main- kya rishi Bhai maja aaya ki nhi.

Rishi- Bhai double maja aagaya bahut power power Kar Raha tha. Sab chhin gaya. Paisa bhi and power bhi.

Main- yaar rishi ye to mere Kya Tere mukable bhi bahut garib hai. Ye 50 crore Kya rakam hai yaar.me agar chheek du to mere Jeb SE gir jayenge.

Rishi- Bhai yaha mat chhikna werna ye bhikari yahi uthane baith jayega.

Hum ye sab uski pent utarne ke liye Kar rahe the and uska asar bhi dikh Raha tha. Kyuki uske chehre per gusse or confusion ke mile Jule bhaav the.

Tabhi Mera phone Baja.

Main- thanks uncle lekin ye 50 crore bahut Kam nhi lag Raha.

CM- yaar jitna Mila utna Bata diya ab chhod. Ye sale hamare hi sir per nachne lage the.ab sale road per ghumege.

Main- bahut sahi uncle. Lekin ye baat aap fufa ko mat batana please. Nahi to mujhe bahut maar padegi.

CM- thik hai nhi bataoga. Or suna kbhi Ghar bhi aaya Kar.

Main- uncle jald hi aaoga. Aap tension na lo. Jab bhi aaoga to aapko milkar hi jaoga.

CM- chal koi na. Thik hai rakhta hu. Press meet me Jana hai.

Main- Ok uncle byy.

Uske baad Mene call kut kiya and uski taraf dekha.

Main- kyu be jhandu. Kya samjha tha koi Aire gaire log hai hum. Sale abhi to sirf party se nikala hai. Agli baar agar Mujhe Teri ek bhi sikayat mil gayi to. Sale apni or apne baap ki dono ki jindgi se hath dho baithega. Samjha. Or ye baat bahut seriously lena. Kyuki Mujhe Tere ko maarne ke liye kisi ko phone nhi karna padega balki me khud aake Tere bheje me 4 goliya daal KE chalta banuga. ISS liye. Sambhal ja. Agar business karna hai to sarafat se Kar. Nhi to agli train se Delhi bapis nikal ja. Ye Tera pehla or aakhiri mouka hai. Good bye.

Or fir me or rishi Bahar aagye and Mene ambulance ko call karke yaha ka pata de diya. Or hum log nikal Gaye apne base ki taraf.

To be continued......
 
UPDATE 63

Base pahuch Kar Maine rishi ko drop kiya and Ghar nikal gaya. Ghar aakar dinner kiya. Bhai or fufa nikal chuke the. To apne kamre me aake aaram Karne laga.tabhi Vidya or Radha dono mere kamre me aa gyi.

Main- are aaj tum dono ek sath yaha. Kya baat hai. Kahi koi kaand baand to nhi Kar diya.or mujhse help manngne aayi ho.

Vidya- aisa kuch nhi hai. Vo to aise hi gappe lagane aa gye hum dono.

Main- kyu tum dono ki aapas ki gappe khatam ho gyi Jo Mera dimaag khane KE liye aa gyi.

Radha- ji nhi vo to hum aise hi aagye. Socha AAP akele boor ho rahe honge to ham aapko company dene aa gye.

Main- thanks aap dono ne ISS garib KE bare me itna socha. Verna kon pochhta hai Mujhe.

Vidya- very funny.. achha ye batao aapke sab notes clear ho Gaye ki Bache hai kuch.

Main- ji nhi mere sare notes clear hai. Or agar Mujhe tumhari help chahiye hogi to me le lunga.

Radha- Bhai bahut boor ho rahe hai. Kuch bhi time pass nhi ho Raha hai.

Main- to Kya karna chahti ho.

Radha- kyu na kahi ghumne chale 2-3 din KE liye.

Main- fir CLG ka Kya hoga.me bese hi peechhe hu. Tum Mujhe or peeche karwana chahti ho.

Radha- ji nhi darashal agle hafte 3 din ki chhutti padegi tab ka bola hai Mene.

Main- kis baat ki chhutti.

Radha- koi festival hai and agle din Sunday hai.

Main- festival hai to Ghar per manayenge. Bahar Jane ki Kya jarurat hai.

Radha- seedhe bolo na ki aapko kahi nhi Jana hai faltu KE bahane banwa lo bas. Mujhe aapse baat hi nahi karni hai.

Main- ab naraj hoke mat dikhao. Dekhte hai agar us time koi urgent kaam nahi hua to chale ge. Ghumne ke liye.ok.

Radha- thanks Bhai. Love you.

Main- ha thik hai. Love you too both.

Vidya- thanks. Bhai.achha aapka kaam kaha Tak pahucha.

Main- abhi to rest time chal Raha hai. Baki baad me dekhenge.

Vidya- ok to ab aap aaram kijiye me chali sone KE liye.byy good night.

Main- good night..

Radha ne bhi good night bola and bahi mere pass hi let gyi. Uske baad jyada kuch bate nhi hue. Then ham so gye.

Next morning..

Bahi apna routine follow kiya and pahuch gaya CLG. Sab SE mila. And kafi boring si life chal rahi thi. Na to kuch locha ho Raha tha. Na hi kahi maja aa Raha tha.sab jaise tham sa gaya tha. Clg me bhi padai KE alawa kuch nhi ho Raha tha. To hum kahi or chalte hai.....

Mumbai se koso door.

In Bangkok....

Yaha per kuch alag mahol chal Raha hai. Lekin Kya. Ruko Jara samajhne do. Are ye to koi ring lag Raha hai. Like MMA fighting ring. Jaha per do fighter aapas me ladte hai ek dusre ke Marne Tak yaha koi haar nhi manta.

Chalo dekhte hai andar Kya ho Raha hai. Yaha per koi fight chal rahi hai. Or log bhi kafi sare hai. Sab ek hi naam chilla rahe hai.Rony,Rony,Rony. Lekin ye Rony hai kon. Ab andar 2 log khade hai. And un dono me SE hi koi ek Rony ho sakta hai. Unme se ek aadmi kafi tagda lag Raha tha.hight karib 7 ft. Hogi. Sakal se hi hawsi type lagta hai. And dusri taraf ek shant sa ladka khada hai. Hight karib 6 ft. Lekin personality kafi dhasu lag rahi thi. Behtreen body. And Kya gajab ka chehra tha. Yaar ladkiya to pagal hi hojaye.use dekh Kar. Khair. Ghanti baji or fight suru hui. And vo 7ft. Ka hawasi doudta hua aaya. Lekin ye Kya. Us 6 ft. KE ladke ne ek kick me hi uska banta dhar Kar diya.



Kya kick Mari hai. Uski garden per or jabde per. Ek hi kick me kaam tamam ho gaya. And jitne bhi log the bo sab to pagal se ho Gaye. Kitna chilla rahe hai. Ye log. Or lagta hai Jo jeeta hai yahi Rony hai. Bo Jeet Kar bhi bahi khada ho gaya jese keh Raha ho or koi hai to AA jao. Lekin 5 min. Tak koi nahi aaya. And bo baha se apne pese leke nikal gaya.lekin vo ja kaha Raha hai. Dekhte hai Chalo uske peechhe. Bo bande ne apni bike ko uthaya and nikal gaya. Road per kafi der Tak chalata Raha and fir ek jagah per apni bike ko rok Kar Ghar ke andar Chala gaya.ye uska Ghar tha. Ek chhota sa kamra ek kitchen or toilet. Bus. Itna hi lekin uske kamre me kafi sari photos lagi hue thi. Pata nhi kiski hai. Sabhi photos bachho ki thi. Tabhi uska phone baja.usne pic kiya.and udhar se kuch kaha gaya.jise sunkar vo foran khada ho gaya and kehne laga.

Rony- ye Kya keh rahe ho tum. Tumhara dimaag to kharab nhi hua.

Udhar se kuch kaha gaya.

Rony- ye kaise sambhav hai Chechen group khatam ho gaya. And uske sare base and sare log and uska boss bhi mara gaya.kisne kiya ye.

Udhar se kuch kaha gaya.

Rony- are you serious tum keh rahe ho ki tumhe koi idea nhi hai. Ye baat Mujhe kuch hajam nhi ho rahi hai. Ye kisi ka kaam to hoga sab apne AAP to khatam ho nhi sakte.

Udhar se fir kuch kaha gya.

Rony- dekho Mujhe kuch nahi sunna hai. Mujhe 2 din ke andar ye pata chahiye ki kon mere muh ki haddi chhin le gaya.usse milna to padega hi. Tum Mujhe pori khabar do.

Udhar se kuch kaha gaya.

Rony- thik hai tum pata Karo me India aa Raha hu. Aaj hi nikal Raha hu. Ok byyyy.

Ye kon tha Bhai Jo khud Chechen group ko khatam karne pe Tula hua hai.khair Jo bhi ho lag bada khatarnaak Raha hai.

To be continued......
 
UPDATE 64

Yaha Surya ki life rook si gyi thi uski life keval Ghar SE CLG Tak hi reh gyi thi. Halaki vo thoda bahut enjoy karta tha. Lekin aage ki koi lead nhi mil rahi thi. Ki Kya kiya jaye.tabhi. use aarav ka phone aata hai.

Main- ha aarav bolo Kya hua.

Aarav- bhai base AA jao kuch baat karni hai. Bade Bhai ko bhi le aana.

Main- Ok 15 min. Me pahuchta hu.

Uske baad Mene Bhai ko call karke base aane ka bol diya.and me bhi nikal pada base per.

Baha pahucha to sab log aa chuke the.

Main- ha aarav Miya bolo Kya hua itni argent me kyu bulaya.

Aarav- bhai koi jyada badi problem nhi hai. Darashal koi hame badi siddat SE dhood Raha hai.

Main- kon hai.koi gang ka aadmi hai Kya.

Aarav- bhai uske bare me kuch bhi hame pata nhi hai. Bus Mujhe itni hi jaankar mili hai ki koi to hai Jo kuch dino se ye pata Kar Raha hai ki kisne Chechen gang ka khatma kiya hai. Lekin uske hath abhi Tak koi info nhi lagi hai. Kyuki hamne aisi koi leak chhodi hi nhi hai. Jise vo pakad paye.

Main- ye to thik kaha lekin ham fir bhi satark rehna hi hoga. Pata nhi ye Naya kon aa gaya. Dost hai ya dushman. Kuch pata nhi hai.or agar vo itni siddat SE dhood Raha hai to kuch to jarur baat hogi. Khair tum najar banai rakho. And ab samay pass a Raha hai. Yakuza ka so guys kaam per lag jao. Jitni bhi info hamare hath lag sakti hai juta lo. Aarav tum Bhai ko ye detail Dena ki Yakuza ki jyada kaha chalti hai. Matlab kaha unka jyada business hai. And jyadatar kaha unke aadmi dekhe jate hai. Or Bhai aap ye info leke seedhe baha KE liye niklenge. Baha pehle AAP observ karna and baki AAP samjdaar hai.

Bhai- ha vo to hu hi. Pehle info jutao then hamla Karo. Abhi hamare or bhi bahut sare dusman aane bale hai so sab apni Kamar kas lo pata nhi kab kon as dhamke.

Sunny- bhai Mene to apne belt ko bilkul kas Kar hi rakha hua hai. Baki jab mouka padega to aap dekhna.

Main- bese Bhai India me to ab jyada Bhai log Bache nhi hai. Ya Bache hue hai.

Bhai- yaar pata nhi. Yaha ek Bhai Marta nhi or dusra pehle khada ho jata hai. So yaha ki seat kabhi Khali nhi hone Bali.

Tabhi Mera phone Baja. Mene dekha to chouhan ka tha.

Main- hello sir aaj hame kese yaad Kar liya. Sab thik to hai.

Chouhan- ek confirmation chahiye hai.

Main- Kya.

Chouhan- yaar Kal yaha Delhi me defence office SE kuch gayab hua hai. Kahi isme tum logo ka to hath nhi hai.

Main- Kya sir hamara baha Kya kaam or agar ham karte bhi to aap ko Bata Kar hi karte. Lekin ye aap hum per kyu shak Kar rahe hai.

Chouhan- yaar shak nahi Kar Raha hu. Balki me to confirm that ki ye kaam tum logo ka nhi hai lekin mamla bahut serious hai is liye ek baar bas confirm kiya hai.

Main- Chalo thik hai. Lekin aisa Kya gayab ho gaya Jo AAP itni tension le rahe ho.

Chouhan- yaar desh ki kuch kufiya file hai. Or ye koi pehli baar nhi hua hai. Aaj se 3 Saal pehle bhi aisi hi ek ghatna ho chuki hai. Usme kahi or SE file gayab hui thi. Lekin abki baar to seedhe defence ke office me hi daka daal diya. And kisne kiya hai iska bhi koi clue nahi mil Raha hai.na hi koi CCTV footage mili hai na kuch info.

Main- agar AAP kahe to hum log kuch madad Kare.

Chouhan- bilkul tum logo ki madad ki jarurat hai Mujhe. Lekin tum log karoge Kya.

Main- dekhte hai pehle to CCTV check karna padega agar usme kuch mil gaya to fir aage ka sochege. Thik hai AAP befikr rahiye. Agar ye kahi Bahar bechne KE liye churai gayi hai to chinta ki baat hai lekin agar kisi or bajah se churai gyi hai to vo jarur koi na koi clue dega hi hame. Sayad koi rensom bagera demand Kare. Ya fir kuch or. Dekhte hai. Aap un CCTV ka link bhej dejiye.taki ham bhi to dekhe ki kyu kuch nhi dikh Raha usme.

Chouhan- thik hai me bhejta hu.

Uske baad call cut gaya.

Bhai-. Kya hua kiski baat Kar rahe the tum.

Main-. Bhai Kal defense office SE koi secrate files ki chori ho gyi hai. Usi KE bare me pochha rahe the aapke chouhan.

Bhai- in sab SE hamara Kya Lena Dena Jo ye hum per shak Kar rahe hai.

Main- Mene unko confirm Kar diya hai ki usme hamara koi hath nhi hai. Lekin ye case hame solve karna padega. Aarav Bhai jaldi se defense office ke sare CCTV ka layout check Karo. Agar yaha SE nhi hota to Delhi jao lekin tum sari footage ko dhyan se check karlo.kaha kami reh gyi hai.

Aarav- bhai aap chouhan ko bolo ki Mujhe CCTV ki link bhej de me sari detail check Kar lunga.

Main- mene usse pehle hi keh diya hai. Tum check Karo sayad abhi Tak AA bhi gayi hogi.

Uske baad aarav ne mail check kiya and to usme link aa gayi thi.usne foran link ko open kiya or sare CCTV ki live recording yaha dikhne lagi.

Aarav ne Kal ki footage check ki usne Kal ki sari footage dekhi usme karib 2 ghante ki footage miss thi.bo bhi raat ke 11-1 KE beech. Vo lag gaya apne kaam per usne bahut der baad bo bola Bhai.

Aarav- bhai sare CCTV ko band Kar diya gaya tha. Isliye kuch bhi record hi nhi hua hai. Lekin ek jagah bo chor bhi galti Kar gaya or chouhan bhi.

Main-. Kya.

Aarav- bhai secratery KE office me ek or camera tha Jo on tha. Us per kisi ka dhyan nhi gaya hai.

Main- konsa camera.

Aarav- bhai aap chouhan ko phone lagao me usse baat karta hu.

Uske baad Mene chouhan ko phone lagaya and usne 2 ring me hi utha liya

Chouhan- ha Surya kuch pata Chala.

Main- sayad kuch to hath lag sakta hai. Ye aap aarav SE baat keejiye.

Mene aarav ko phone Diya.

Aarav- sir us office me Jo desktop rakha hua hai. Ek camera usme bhi installed hota hai. Aap apne technician ko dikhao bo sayad usme SE koi footage nikal le Jo kaam ki ho.or agar usse nhi hota to aap bolo me aa jata hu baha per me nikal lunga.

Chouhan- ek kaam Karo tum or Surya dono yaha aa jao. And me tumhe poori power dunga ki tum kahi bhi kuch bhi Karo. Lekin I want him result.

Aarav-. Ok sir ham abhi next flight se hi aate hai.ok byyy.

Aarav- bhai Chalo hame Delhi Jana hai. Abhi.

Main- Ok kuch packing bagera karne ki jarurat nhi hai. Aise hi chalte hai. Bhai aap hame drop kardo and Ghar per sab ko bol Dena. Me yahi SE nikal jata hu.

Bhai- ok tum log niklo me yaha sabko sambhal lunga.

Uske baad Bhai ne hame airport chhoda aarav ne ek laptop bag apne sath rakh liya tha.hamne flight ke liye pochha to 1 ghante baad ki flight thi. Hamne tickets liye or wait karne lage. And Bhai ko bapis bhej diya.abhi dopehar ke 2 baj rahe the. Karib 30 min baad boarding suru hui hum flight me bethe or kuch der baad bo udd gayi Delhi KE liye.

Karib 2 ghante me hum Delhi pahuche. Chouhan khud hame received karne aaya tha. Hum usse mile. And gadi me baith Kar nikal Gaye defence office.

To be continued.......
 
UPDATE 65

Ham gadi SE utre and chouhan KE peechhe chalne lage. Baha per kafi police wale and kafi log sada dress me khade the. Kuch hi der me ham usi jagah pahuch Gaye Jo jagah hamne CCTV me dekhi thi. Kafi behtreen office tha. Sab kuch lakdi ka bana hua tha. And Kya shine aa rahi thi lakdiyo se. Khair me bahi baith gaya and aarav ko chouhan ne vo desktop dikhaya.

Aarav- sir isi office SE gayi hai na file.

Chouhan- ha isi COMPUTER se gyi hai. Ye khud defense secratery ka desktop hai.lekin tum ye kaise keh sakte ho ki isme bhi camera installed hota hai.balki khud dekho isme kahi bhi camera nhi dikh Raha hai.

Aarav- sir ye Jo apple ka logo bana hua hai na. Isi ke andar ek chhota sa camera laga hota hai. Ye computer khas banaye jate hai. Aise kisi matter ke liye. Lekin ye baat jyadatar logo ko malum nhi hoti hai ki isme koi camera bhi laga hota hai. Kyuki usko khass order karke lagwaya jata hai. Ye yaha ki sari cheeje jis ne bhi mangwai hai usko sayad pata ho. Ya fir caval company walo ko pata hota hai.

Chouhan-. Chalo tum check Karo kuch mil Jaye to achhi baat hai.

Fir aarav lag gaya kaam me karib 30 min. Me hi usne us camera ki sari footage nikal li. And usne fir chouhan or Mujhe bulaya. Ham uske pass Gaye. To usne sari video Chala di. Jitni footage CCTV se missing thi bo sari is camera se capture hui thi. Usne play ki to ham Kya dekhte hai. Koi Banda screen KE saamne baitha hai and usne apna chehra per mask laga rakha hai. Vo usi me kafi der Tak kuch karta raha. Or sayad kisi SE baat bhi Kar Raha tha. Lekin uski aawaj nhi aa rahi thi. Sayad isme audio nhi tha. Me har ek cheez per gour Kar Raha tha. Uski keval aankhe hi dikh rahi thi. Blue eyes.thi. and hatho SE bhi kafi tagda lag Raha tha. Body bagera bhi achhi khasi thi. Uski jackets SE samaj me aa Raha tha. Kahair vo utha to uske hath per kalayi me neeche ek tattoo bana hua tha. Mene aarav ko pause karke joom karne ko kaha to usne kiya hamne uske tattoo ko deka to saaf saaf hame dikhne laga uspe ek MAA naam ka tattoo bana hua tha. Sayad Banda apni MAA se kuch jyada hi pyar karta hai ya fir aise hi fashion KE liye banaya hoga.or uss footage se hame kuch bhi clue nhi Mila sivay us tattoo ke.ab ham sab ka dimaag ghoom Raha tha tabhi chouhan ka phone Baja or vo side me Chala gaya. And Mene iski ek copy banane ko kaha and iska audio bhi dhundne ko kaha sayad Mill Jaye.

Aarav- bhai iska koi audio nhi hai. And copy Mene Kar li hai. Lekin Bhai ye kon ho sakta hai. Lag to Indian hi Raha hai. Hath per tattoo bhi Hindi me banaya hua hai. Lekin Sala apni sakal ko dhak Kar rakhe hue hai.

Main-. Jo bhi hai bahut satir hai. Badi safai se bina kisi ki najar me aaye ISS kamre Tak aana lagbhag na mumkin hai lekin bo aaya or apna kaam karke Chala bhi gaya. Kisi ko kuch pata nhi Chala. Ek min. Ye baat unko kaise pata chali ki koi file chori hui hai.

Aarav- ha Bhai. Ye sawal to mere man me bhi hai. Kyuki itni safai se kaam hua hai. To kaise pata Chala ki isme se koi data liya gaya hai..

Tabhi chouhan hamare pass aaya to Mene usse yahi sawal daag diya.

Chouhan- hame kabhi pata bhi nhi chalta. Lekin. Subah ek threat mail aaya tha server per usme likha tha ki Kal raat ko defence me ghuspeth hui hai and koi data bhi liya gaya hai. Koi secrate data. Jab hamne check kiya to sare CCTV 2 ghante Tak band the jisse ye confirm hua ki kuch to yaha hua hai. Or jab hamne computer ko check kiya to isme SE kon SE file gayab hui ye baat nhi pata chali kyuki sabhi files jyo ki tyo bani hui thi. To hame laga ki sayad copy karke le gaya hoga.lekin check karne per kuch bhi pata nhi Chala. Hamne us mail ko trace Karne ki kosis ki to vo bhi hame dunia bhar se signal bhej rahi hai.

Aarav- sir Mujhe bataiye bo me use trace karta hu.

Chouhan- ha ye lo ki link.

Uske baad aarav fir lag gaya kaam per karib 15 min. Me hi kaam ban gaya. Uski location yahi Delhi me old City se aa rahi thi.

Jab chouhan ne ye dekha to bo aarav SE kafi prabhabit hua or usko apne sath kaam karne KE liye offer dene laga lekin aarav ne Mana Kar diya jisse use dukh to hua lekin ye bhi biswas tha ki jab bhi jarurat padi to aarav jarur madad karega. Khair chouhan ne foran hi ek team ready ki or us location per bhej di. Ham baha ki har movement dekh rahe the. Screen per.jab us area me pahuchi to kafi bheed Wala ilaka tha. Unko ek Ghar ki location mili thi to bo log us Ghar ki taraf Gaye and usko Charo taraf SE cover kiya or 4 log andar gaye.andar kafi andhera tha. Unhone light on ki to baha koi nhi tha. Vo Charo taraf dekh rahe the ki tabhi ek dewaar ki taraf dekha jispe kuch likha hua tha. Usne apna camera deewar ki taraf kiya jisse hame bhi dikha uspe Kya likha tha.

" MUJHE UN LOGO KE NAAM CHAHIYE JINHONE CHECHEN KA KHATMA KIYA HAI. MUJHE JALDI INFORM KAROGE TO YE FILE ME BAPIS DE DUNGA WERNA ISKO ME KISI KO BHI BECH DUNGA."

BUS itna padna tha ki me aarav or chouhan ek dusre ki taraf dekhte reh gaye. Ki ye Sala hai kon or use ye kyu Janna hai ki kisne us gange ka khatma kiya hai.

To be continued.....
 
UPDATE 66

ISS ko dekh Kar ham teeno ka hi dimaag Hil gaya tha. Tabhi chouhan hame dusre kamre me le gaya. Or baha jitne bhi or log the bo abhi bhi soch rahe the ki hame Kya pata kisne kiya hai. Or ye hamse Kyu poochh Raha hai.

Chouhan- Kya lagta hai tumhe Surya. Kon hai ye.

Main- sir aaj hi aarav ne Mujhe bataya hai ki koi hame dhuund Raha hai. Ye bahi hai. Jab isko koi jyada info nahi mili hogi to isne ye kaarnama anjaam diya hoga.lekin ye confirm nhi hai ki ye kon hai or ye hamara dushman hai ya dost.

Chouhan-. To ab Kya kiya Jaye. Kyuki agar vo files galat hatho me chali gayi to pata nhi Kya hoga.

Main- aap tension na lo me sambhal lunga use. Aarav tum use inform Karo ki milna hai Mujhe usse. And yahi Delhi ka koi address Bata do. Aaj hi mil lete hai.

Uske baad aarav ne usi mail per ye msg bhej diya.and intjaar hone laga. Ki koi reply aaye.

Karib 15 min baad reply aaya.

Aarav- bhai reply aa gaya hai. And jagah usne decide ki hai.bol Raha hai ki aaj raat 12 baje gateway of India KE saamne road per milo.

Main- done. Me akela jaoga.

Aarav- bhai khatra ho sakta hai. Me aapko akele nhi Jane de sakta.

Chouhan- yes ye sahi keh Raha hai. Tum akele nhi jaoge. Me bhi sath chalunga.vo Jo bhi hai. Tumhe akele Jake risk nhi Lena chahiye.

Main- dekhiye sir agar usne mere sath aapko dekha to ho sakta hai vo Milne hi na aaye.and Mera usse milna bahut jaruri hai. Akhir pata to chale ki kon hai. ISS liye me akela hi jaoga. Mujhe koi transmitter de Dena Taki AAP logo ko me agar koi khatra dikhe to inform Kar saku. Bese to me akele sambhal lunga lekin aap ki tasalli KE liye.

Chouhan- thik hai me tumhare andar ek transmitter inject Kar deta hu jisse ham tumhari aawaj bhi sun sakege. And tumhari location bhi pata chalti rahegi.

Main- thik hai.

Uske baad Mene chouhan SE ek gun le li. And abhi 10:30 ho rahe the to ek gadi leke nikal gaya.karib 11:45 Tak me India gate pahuch gaya. Me baha per intjaar karne laga and gadi se Bahar aa gaya. Thik 12 baje koi mere bagal SE nikla and mere hath me ek phone de gaya. Mene use aawaj di lekin usne nhi suni. Tabhi vo phone Baja Mene received kiya to usme aawaj aayi.

Main- hello kon

Other- me kon hu ye pata chal jayega. Chup chap road KE dusri taraf khadi gadi me baith jao or jaha bo lE jaye baha aa jao.

Or phone Kat gaya. Me road KE samne ek gadi khadi thi usme baith gaya. And usme 2 bande the. Ek driver and ek or. Usne kisi scanner se Meri poori body ko check kiya and. Usko mere hath me transmitter mil gaya to usne pata nhi kaise kisi machine ko mere hath per usi jagah rakha and kuch press kiya jisse Mujhe thoda dard hua. Lekin Mene dekha ki bo transmitter us machine me chipak gaya hai. Or usme mera kuch khoon bhi laga hua hai.or kuch mere hath per.khair usne uss jagah Patti bandhi or mere aankho per bhi Kali Patti baandh di or Mujhe le Jane lage. Karib 1 ghante Tak bo Mujhe ghumate rahe. And fir gadi ruki. Mujhe kisi ne Bahar nikala. Or kuch door chalne KE baad Mujhe ek jagah baitha Diya or Meri aankho ki Patti khol KE nikal di or Chala gaya.mene apni aankho ko thoda masla jisse Mujhe saaf saaf dikhna suru hua. Mene dekha ki Mujhe kisi white kamre me baithaya gaya hai.and me akela hi baitha hua hu. Thodi der baad ek Banda andar aaya and Kya personality thi bande ki. Matlab kehar. Gajab body and chehra bhi gora and kafi handsome. Khair vo saamne baitha or Mujhe dekhne laga and me use.

Other- tum to abhi Bache ho. Tum to bilkul bhi nahi ho sakte ho ISS sab KE peechhe.

Main- tumhe kafi viswas hai. Khair ye chhodo or ye batao ki kon ho tum or kyu mere peechhe pade ho.

Other-. Agar tum bakai bahi ho jise me dhood Raha hu. Tu tumne Mera niwala chhina hai. Issliye me the dhood Raha tha.

Main- dekho Maine kisi ka niwala nhi chhina hai. Vo Mera hi niwala tha to me hi uspe hath saaf karunga na. Ab tum ekdum se beech me aake ye sab karoge to kaise chalega.

Other- tumhara kaise ho sakta hai tum ho kon or kyu tumne uape hath saaf kiya.

Main- abhi itni achhi dosti nahi hui hai Jo tumhe me sab kuch Bata du. Isliye shuruwat tum Karo.

Other- kafi hosiyaar ho.

Main- sab yahi kehte hai.

Other- lekin me nhi kahunga. Tumhare liye achha yahi hoga ki Mujhe sab Sach Bata do werna Mujhe or bhi tarike aate hai.

Main- try karke dekh lo. Agar me haar gaya to sab Bata dunga werna tum Mujhe bataoge.

Other-. I like your confidence.

Abhi Bache ho thik SE dhadi bhi nhi aayi hai. Khamakha mare jaoge.

Main- me fir bahi kahunga try karke dekhlo. Werna Mujhe sab Sach batao. Ki kon ho tum or kyu mere or un sab KE peechhe pade ho.

Other- tum nhi manoge

Uske baad vo uthkar Bahar Chala gaya and me bahi baith gaya. Tabhi 5 mustande bande andar aaye. Or Kya dekh Kar hi hawsi lag rahe the. Or aate hi mujh per toot pade. Lekin me kaha peechhe rehne Wala tha.

2 bande aage aaye or Mujhe marne ki try karne lage. Maine ek ko duck kiya and dusre ko ek powerpunch jad diya. Jisse uske 2 dant Bahar aa gye. And dusre ko ek round kick uske jabde per. Jisse vo deewal per laga and kafi jor se laga.sayad behosh hi ho gaya. Abhi pehla Wala uth hi Raha tha ki Mene uski naak per apne ghutne SE war kiya and vo bhi behosh. Baki ke teen bas dekh hi rahe the. Jab unhe hosh aaya to vo teeno Meri taraf bhage. Mene bhi turant hi unki taraf bhaga and uchhal Kar ek ko kick and dusri taraf wale ko ek punch jad diya. Dono neeche gir Gaye. And teesre wale ne ek punch marna chaha. To Mene usko block kiya and uske main point per ek ghusa jad diya. Jisse bo bahi baith gaya.bo dono abhi uth hi rahe the ki. Mene ek ko uthaya and jor SE deewar se uska sir maar diya.abki baar bo bhi gaya. And vo dusra bhi khada ho gaya. To Mene uska hath pakda or mod diya. Jisse turant hi kadakkkkkk ki aawaj aayi or uska hath toot gaya. And ab bo ek hi bacha tha. Jo apne ande pakde abhi bhi Leta hua tha.mene uske bhi naak per apne ghutne SE waar Kar diya and vo bhi behosh.ye sab karne me Mujhe karib 1:30 min. Laga. Jo ki mere hisab SE bahut jyada tha. Lekin thik hai. Unko maarna thodi tha keval behosh hi karna tha.maarne me jyada waqt nhi lagta.

Khair tabhi darwaja fir khula or kuch log aaye or ghayalo ko bahar le Gaye. Or me fir se chair per baith gaya.

To be continued......
 
UPDATE 67

Main Kursi per baith gaya or thodi der baad bo Banda fir SE andar aaya.

Other- Kya baat hai bahut khoob. Lekin kuch kami to hai tumme. Tum ek profesnal fighter to nhi ho ye baat me tumhe dekh Kar hi jaan gaya. Hu lekin fir bhi tumne mere 5 behtreen aadmiyo ko itni asani se Hara diya. Agar trained hote to pata nahi Kya karte.

Main- ab jaan hi Gaye ho to batao apne bare me. Or agar abhi bhi thodi kasar baki hai to tum bhi aajao.

Other- tumhari ye kwahish bhi jaldi hi pori Kar dunga lekin aaj nahi.kyuki mere pass faltu samay nhi hai gabane ko.

Main- samay to mere pass bhi nahi hai. Isliye Jo bolna hai jaldi bolo werna me yaha SE ja Raha hu.

Other- thik hai tum keval itna jaan lo ki in underworld balo ne Mera bahut kuch bigada hai so mujhe in SE badla Lena hai. Mujhe apne hatho se in sab ko maut KE ghat utarna hai.or jab Mujhe pata Chala ki Mera sikaar koi or le uda to gussa to ayega hi.

Main- aisa Kya. Lekin badla to Mujhe bhi Lena hai in sab SE. Isiliye to me inke peechhe pada hu. Or aage bhi pada hi rahunga. Agar tum chaho to hamare sath Jud sakte ho.

Other- ji nhi me akele kaam karna pasand karta hu. So no thanks. Lekin bas itna jaan lo ki agli waar agar Mera sikar chuna to achha nhi hoga. Then me Kya karunga Mujhe khud bhi nahi pata.

Main- aisa Kya. To tum bhi ye jaan lo ki Jo mere sikaar hai agar unme se tumhara koi sikaar hai to tumhare liye advance me sorry. Kyuki in sab ki mout to mere hatho hi hogi.chahe kuch ho Jaye.

Other- thik tum nahi maan rahe to achhi baat hai. Tumhare bare me Mujhe pata karne me jyada samay nhi lagega. Is liye sambhal Kar rehna.

Main- tum ye faltu ki baat to Karo hi mat nahi to me abhi yahi isi waqt faisla Kar dunga or koi Mera kuch nahi ukhad payega. So Mera Rasta soch ke bhi nahi kaatna. Varna tum khud hi samajdaar ho ki Mujhe itni badi gang ko khatam karne me 1 hafta bhi nhi laga to tumhe khatam karne me 1 din bhi nahi lagaunga. So Bach ke tumhe rahna hai mere se.aainda agar tumne aisi koi cheap harkat ki to kisi KE liye bhi achha nhi hoga.

Lao ab bo file Mujhe chupchap de do.

Other- vo file to Mene bese bhi nahi churai thi. Mene to keval ye afbah udai thi ki Mene koi file churai hai. Taki me tum Tak pahuch saku. Isliye ISS mamle me tumhe tension lene ki jarurat nhi hai. Lekin apne bare me tension jarur Lena.

Or ye keh ke bo Chala gaya or ab Mera kaam bhi ho chuka tha. Toe bhi us kamre se Bahar aa gaya. Vo koi work shop type tha. Mene Bahar Jane ka Rasta dhunda or Bahar aagaya. Ab mere pass na to phone tha or na hi koi Anya sadhan. Is liye me road per chalne laga. Ye sehar se koi 2-3 km door lag Raha tha. Kafi sunsaan area tha. Me aage chalta Raha tabhi Mujhe ek gadi aati Hui dikhi. Mene hath diya rokne KE liye. To usne thodi door Jake gadi ko roka. Me uske pass gaya and bo koi aged aadmi tha Mene usse lift mangi usne mujhe gadi me baithaya. Or hum chal pade sehar ki taraf. Thodi hi Dori per Jake Mene unse phone manga to unhone mujhe de diya. Mene aarav ko call kiya or use Bata diya ki yaha mil Jana or call kut Kar diya thodi der baad usne mujhe ek hotel KE Bahar chhod diya. And vo aage Chala gaya. Mene use thankyou kaha. Fir me hotel me aaya or fir se aarav ko call karke us hotel ka location Bata diya. Jisse karib 20 min. Me vo aagaya or sath me chouhan bhi tha me gadi me baitha or aarav ne gadi ko aage bada diya.

Aarav- bhai thik to kuch hua to nahi Mujhe bahut tension ho rahi thi aapki. Na to vo transmitter kaam Kar Raha tha na hi kuch.

Main- ha me thik hu Mujhe kuch nahi hua hai. And thanks Meri itni fikar karne KE liye.

Aarav- Kya Bhai majak Kar rahe ho.bese bo tha kon mile AAP usse.

Main- ha Mila me usse koi apne jaisa hi hai. Badla lene nikala hai in sab SE. Ab Mene uska niwala chhina liya Chechen ko maar Kar to Mujhe samjha Raha tha ki mere raste me mat aana. Mene bhi keh diya ki tum mere raste me mat aana kyuki me to apna kaam karke hi dum lunga.

Chouhan- or us file ka kuch pata Chala.

Main- Kya sir aapko head kisne bana diya. Pehle to aapko pata bhi nahi chala ki defense me kuch ghuspeth hue hai. Then jab usne mail bheja tab aapko pata Chala. And fir us computer camera KE bare me bhi aapko kuch pata nhi tha.or aapko ye bhi pata nhi Chala ki ye keval ek afbah thi mujh Tak pahuchne ke liye faulayi gyi thi.

Chouhan- ha mujhse chook to hui hai jise me manta bhi hu. Lekin agar usne jhoot bola ho tumse. Agar bakai me usne vo file churai hui ho to.

Main- pehli baat agar vo Sach me file churata to aapko kabhi inform nhi karta. Or dusri baat vo uska pata Kyu mangta jisne Chechen group ka khatma kiya hai. Vo chupchap apni file churata or AAP ko pata chale usse pehle hi desh SE Bahar Chala jata. Infact aapko kabhi pata bhi nhi chalta ki defence se koi file gayab hui hai. Isliye kuch nayi TECHNOLOGY ka istemaal keejiye. Ye koi mamuli baat nahi hai. India ki security hai us office me. Ye hadse ko AAP halke me mat leejiye. Agar ye baat Bahar aa gyi to kitni badnami ho jayegi hamari. Log kahenge ki kaisi security hai yaha ki koi bhi aake kuch bhi leke Chala jata hai or kisi ko kuch pata bhi nahi chalta hai.ise aap ik test ki tarah leejiye. Taki future me AAP har ek disha ke bare me soch Kar security ko design Kar sake.

Chouhan- yaar tumne to Meri aankhe khol di. Aisa lag Raha hai jaise abhi Tak Meri aankho per Patti lagi Hui thi Jo ab Jake hati hai. Me Kal hi PM KE pass Jake ye prastaab rakhta hu. Taki future me aisi kisi bhi ghatna se bacha ja sake. And thanks tumhare is sujhab ke liye and tumhari help me liye.

Main- koi baat nhi country ke liye kuch bhi. Achha ab koi flight to milegi nahi so hame kisi hotel me chhod do ham bahi raat kaat lenge.and subah nikal jayenge.

Chouhan- ok aarav airport ke pass Kai hotel hai achhi bahi gadi ghuma lo. Tum log bahi stay Kar Lena and subah nikal Jana. Mujhe ask sari raat jaag Kar ek badiya presentation ready karna padega. Kal PM ko dikhne KE liye. Nahi to tumhe seedhe Ghar le chalta.

Main- koi baat nhi AAP apna kaam keejiye ham apna karenge. And all the best. Kal ke liye. Kal kafi dant khani hai aapko.

ISS baat per Meri or aarav ki hasi nikal gayi and sath me chouhan KE hoto per bhi muskaan aa gyi.

Khair hame hotel per chhod Kar vo nikal Gaye. And hamne hotel me check in kiya keval hame raat hi gujarni thi. Isliye ek hi kamra liya or jakar hi seedhe bed per gir Gaye. Or hamari neend seedhe subah 11 baje khuli.

Me utha to time dekh Kar hairan ho gaya turant uth Kar bathroom me gaya fresh hua nahaya. And bahi kapde bapis pahan liye. Me bapis room me aaya to dekha aarav abhi Tak so Raha hai so Mene uske pichhwade per ek laat jama di and vo bistar se neeche gir gaya. Or hadbadhat me apne kungfu KE daav pech chalane laga. Jise dekh Kar Mujhe bahut jor ki hasi aa gyi. Meri hasi sunke uska dhyan gaya. To vo hairan pareshan Mujhe hi dekhe ja Raha tha.

Aarav- bhai aapne mara Mujhe lekin kyu.

Main- gadhe time dekh 12 baj Gaye hai or laad saab abhi Tak so rahe hai. Jaldi uth fir hame Mumbai bhi nikalna hai.

Uske baad bo utha or fresh hone nikal gaya and Mene tab Tak Mene flight check ki to 2 baje thi. Mene tickets book ki and aarav ka wait karne laga vo aaya naha dho kar. And ham hotel SE neeche aaye. Or nikal Gaye Mumbai KE liye.

To be continued....

HAPPY AND SAFE DIWALI TO ALL MY READERS....

KEEP SUPPORTING...
 
UPDATE 68

Mumbai pahuch Kar hamne airport se texi li and Ghar KE liye nikal gaye.raste me aarav ko drop kiya or seedha Ghar aa gaya.jaise hi Ghar KE andar aaya. Bua and Bhai bahi per baithe the. Mujhe dekhkar bua ne late aane ka Karan pochha to Mene Bata diya ki subah neend nhi khuli. Isliye late ho gaya. And Bhai ne baha Kya hua bo pochha. To Mene unhe baha ka Sara haal Bata diya.

Jise sunkar unhe thodi tension bhi Hui. Lekin fir normal ho Gaye. Me apne room me aaya fresh hua kapde change kiye. And neeche aa gaya kyuki bahut jor ki bhook lagi thi. Bua ne khana parosa Mene khaya. Uske baad rahat mili

Khair aaj karne ko kuch tha nhi to room me Jake aaram hi karne laga. Meri neend seedhe sham ko khuli jab Radha ne Mujhe uthaya. Mene usko bahi baho me bhar ke apne aagosh me le liya. And usko pyar bhara smoch karne laga. Or vo bhi Mera barabar sath dene lagi. Karib 5 min ke kiss ke baad vo mujhse alag Hui or neeche aane ka keh KE chali gayi. Me bhi fresh hua or neeche aa gaya. Jaha sab log the sivay fufa KE. Bua ne coffee di me usko peene laga. Bhai bhi bahi baithe the. Ham dono coffee pee hi rahe the. Tabhi Mene aaj CLG ka haal Jana ki Kya hua aaj. To Radha ne bahi same answer de diya ki kuch bhi khass nhi hua hai. Or ye bhi kaha ki agle mahine se hamare samester exam suru ho rahe hai. To jam Kar tayyari karlo. Khair Mujhe exam ki jyada tension nhi thi vo to ho hi jayenge.

Bahi dusri ore.

Rony bhi Delhi se Mumbai aa gaya. Tha. Apna bhesh badal Kar. And uska ek sathi bhi tha Jo aarav SE bhi thoda bahut badkar tha. Uska naam tha AADIL. Ye bhi Kamal ka hacker tha.

Rony- aadil tumne pata kiya us ladke KE bare me. Kon hai vo. Usne to Mujhe apna naam bhi bahi bataya.

Aadil- Kya Bhai pehla aisa Banda dekha hai Jo tum per bhari pada hai. Vo tumhari info le gaya or tumhe apna naam bhi nahi bataya.

Rony- ha bakai ladka kafi tej hai

Apna dimag or hath per sabhi bahut tez chalata hai. Khair usko to me apne tarike se dekh hi lunga pehle tum uski poori kundali to nikalo.

Aadil- Bhai nikal li hai. Ye dekho.

Uska naam hai Surya Pratap Singh. S/o Jay Pratap Singh. Bo abhi apne fufa KE sath rehta hai kyuki unke alawa uska koi apna nahi bacha hai. Unke Ghar me ISS waqt uski bua GARIMA Singh. Uske fufa Mahendra Singh. Indono ki ladki Radha Singh. And Surya. Or Surya ka bada Bhai Veer Pratap Singh. Bus ye 5 log hi rehte hai. Iske fufa ki pahuch bahut upper hai. Inko yaha KE laghbhag sabhi neta log jante hai. Yaha Tak to CM OR HM OR PM insab ke sath inke Ghar jaise riste hai. Sabhi Surya ko bahut mante hai. Isliye vo bina khooff KE kuch bhi Kar leta hai. Or koi uska koi bigaad nhi sakta.achhe achho ki pent utar de ye. Or in sab SE pare iske pass England or USA OR India in teeno country ki naagrikta prapt hai. Or ye naagrikta ise nahi balki iske Papa ko mili thi. Jisse ise bhi mil gyi. Iske father ek bahut bade businessman the. Unki Kai company thi in sabhi desho me. Vo sasti medicine bana Kar logo ka bhala karte the. Lekin jab unki or unke sare pariwar ki mout hui. To inki company kisi Prakash ko handover Kar di gyi. And uske kuch hi time baad ye company band hogyi. Kyuki ispe aarop laga ki ye nakli medicine banate hai. Or uske baad se Prakash gayab hai. Uska kahi koi pata thikana nhi mila.or Surya ke pass behisaab Paisa hai. Jo uske father use or uske Bhai dono KE naam chhod Kar Gaye hai. And fufa ki property bhi usi KE naam ho sakti hai. So paiso ke mamle me he is the most lucky person in the earth. Bus yahi hai iska biodeta.

Ye sab sunne ke baad Rony ka bheja kaam karna hi band Kar deta hai. Jo bhi usne suna usper use yakin nahi ho Raha tha. Ki ye Sach kaise ho sakta hai.

Aadil- Bhai Mujhe lagta hai. Iske pariwar ke murder ka hi ye badla le Raha hai. Kyuki ye abhi bhi raaj hi bana hua hai ki kaise ek poora pariwar ek raat me khatam ho gaya. Or vo bhi koi sadharan pariwar nhi balki bahut hi powerfull family thi iski. Or sayad isi baat ka ye pata laga Raha hai or sath me badla bhi le Raha hai. Or baki AAP batao ki aapko Kya lagta hai.

Rony apni hi socho me gum tha. Jab aadil ne usse pochha tab use hosh aaya. To usne bola.

Rony-. Kya pata ye badla hi le Raha hai ya fir keval paise or power ka istemaal karke unklogo ko baise hi thoke ja Raha hai. Kuch keh nhi sakte hai. Ab is matter ko band Karo or apne naye mission ki detail hasil Karo kyuki usse pehle mujhe Mera kaam khatam karna hai. Isliye aaj hi se lag jao kaam per. Is Yakuza ki kitni info juta sakte hai juta lo. Or Mene Bangkok me rehke inki pehle hi kafi info juta ki hai. So ab action time jaldi hi suru ho Jaye to achha hai.

Aadil- ji Bhai me lag gaya hu kaam per.

Uske baad ye log apne kaam me lag Gaye. And Surya to abhi aaram hi Kar Raha tha. Raat ko thodi bate bagera Kar KE bo bhi so gaya. And Radha ka haal bahut bura ho raha tha. Kyuki ab use Lund ki aadat lag chuki thi. Lekin Surya ne use saaf keh diya tha ki hafte me keval ek baar hi karenge. Isliye use neend nhi aa rahi thi. Or vo chah Kar bhi usko force nhi Kar sakti thi. Isliye apne man ko maar ke usne fingering ki jisse use thodi Shanti mili or fir so gyi. Bahi Vidya bhi kisi KE khayalo me khoi Hui thi. Bo apne mobile me kisi ki photo SE baat Kar rahi thi.

Vidya- yaar ab me Kya karu tum to uske sath bahut kush ho or me tumhare khusi ko grahan nahi lagana chahti hu. Lekin ye Dil nhi maan Raha hai. Ise to bas tum chahiye hi. Me Kya karu. Kash tum Mujhe bhi kabool Kar lete. Jab SE tumhe pehli war dekha hai tabhi SE Meri Dil ki dhadkan sirf tumhare liye hi dhadak rahi hai. Lekin jab Mujhe pata chala ki tum kisi or SE pyar karte ho to Mera dill chalni ho gaya. Lekin abhi bhi Mera hosla nhi toota hai. Mujhe koi aitraj nhi hai ki tum kisi SE bhi pyar Karo lekin please thodi daya mujhper bhi Kar Dena me utne mi hi khus ho jaogi.

Ab ye kis ki photo dekh Kar ye sab keh rahi hai ye to aane Wala samay hi batayga. Let's hope sab badiya ho.

To be continued.....
 
UPDATE 69

Next morning....

Main utha apna bahi purana routine follow kiya and clg KE liye nikal gaya. CLG pahuch Kar Maine gadi ko park kiya and canteen me aa gaya.

Main- hiii friends kaise ho sab.

Karan- sab badiya hai Bhai. Bas Teri hi kami khalti rehti hai. Pata nhi kaha ghomta rehta hai akele akele. Kabhi hame bhi le jaya kar.

Main- yaar achanak kaam aagaya tha isliye Jana pada. Khair ye batao agle mahine se exam hai to sab ki tayyari pori ho gyi ya bachi hai.

Diya- kaha yaar Mera to abhi Tak aadha syllabus bhi poora nhi hua. Hai Mujhe to samaj nhi aa Raha ki kaise hoga sab.

Ami- same Mera bhi yahi haal hai.

Shekhar- Mera to thoda hi bacha hua hai Jo me is mahine me cover Kar lunga.

Vijay-. Mera to complete hai bus ek baar revised Kar lunga to kaam ho jayega.

Main- ye Kya ladkiyo ka complete nhi hai or ladko ka almost complete hai. Tum log Kya Ghar per padai nhi karti Kya.

Diya- aaj Kal ye Vijay jab dekho ghumane le jata hai us beech time hi nhi milta hai. Lekin iska kaise complete hua. Ya bhi ghumta rehta hai mere sath.

Vijay- kyuki me raat me 2 ghante roj padta hu or subah jaldi uth Kar revision Kar Leta hu jisse mere sare doubts clear rehte hai. Lekin Mujhe nhi pata tha ki tum Ghar per bilkul nahi padti ho. Ab se exam Tak no ghumna ab keval padai per dhayan do. Or agar kahi koi problem ho to Ami SE pochho kyuki vo tumhari classmate hai. Lekin dono sath me nhi padna barna padai Kam or bate jyada hogi. Samjhi.

Ami- ab yahi karna padega.exam Tak no ghumna ghumana. Exam KE baad hamlog kahi vecation manane chale ge. Ek sath sabhi dost log. Or sari kasar nikal lenge.

Main- ha ye sahi hai. Exam me Dil laga Kar pado uske baad ham sab Goa chalenge. Ghumne ke liye. Jisse sab mood fresh ho jay ga.and hum kafi injoy bhi Kar lenge.

Radha- yes ye baat hui na.

Karan- yes Bhai maja aayega. Bahut daru piyunga me to.

Vijay- me too.

Main- ha lekin exam KE baad Jana hai abhi nahi isliye pehle apne exam sahi SE do. Tab hi jayenge.nhi to me cancel Kar dunga sab plan.

Sekhar- don't worry Bhai. Exam me paper faad KE aayenge. Dekhna tum.

Vidya- sach much paper ko mat faad Dena bas sare sawalo KE sahi jawab hi Dena. Nahi to pata Chala ki kuch nahi ban Raha to paper ko faad KE bhag gaya.

Is baat par ham sab ko hasi aagyi.

Main- jokes a part sab achhe se padai Karo baki uske baad masti me koi kami nahi aane denge ham log.

Sab- yes.

Uske baad sabhi seriously hokar padai me lag Gaye.

And me bhi Ghar ja Kar apna revision Karne laga. Kuch dino baad aarav ko ek lead mili Tokyo me to Mene unko akele hi Jane diya kyoki sabhi me exam pass aa rahe the. Or unko padai bhi karni Thi. And Mene us Rony se saabthan rehne ko kaha. Jise Bhai ne maan liya. Or vo Tokyo KE liye nikal Gaye. Hamari padai bhi sath hi chal rahi thi.

Bahi dusri ore..

Rony bhi Tokyo me hi tha. Sayad use bhi kuch lead mili thi. Vo apni taraf SE sari kosis Kar Raha tha ki pehle vo us Tak pahuche lekin Bhai ne usko baha bhi maat de di. Kyuki vo akela kaam karta tha or Bhai ko secrate service ka sath mil Jata tha. Roni ko apni ek or haar SE pagal ho jana chahiye tha lekin ye to bilkul cool tha. Sayad uske dimaag me koi khurafaat chal rahi thi. Lekin kya ye to aage hi pata chalega. Aise hi un dono me baha Jung chalti rahi. Lekin har baar Bhai ke hath hi kaambyabi lag rahi thi. Baha per Bhai me Kam se Kam 5 jagaho ko mita diya tha Jo Yakuza SE talluk rakhti thi. Un jagaho per sare illegal kaam hua karte the jaise drugs or sari jagaho se layi Hui ladkiya. Baha sab kuch moujood tha. Tabhi ek din Bhai ko ek khabar mili ki Yakuza SE talluk rakhne Wala ek khas aadmi aaj raat ek race me part le Raha hai. Jo ki illegal hoti hai. Tokyo ki sadko per. Bhai ne ek mast car ko hire kiya Jo bakai me kafi fast thi.

Bhai us race me hissa lene chale Gaye. Baha per kafi bheed thi. Or race bhi aadhi raat ko hone wali thi. Jab adhiktar sunsaan rehta hai Sara Tokyo. Bhai apni racing car leke baha pahuch Gaye. And baha per vo us aadmi ko Charo taraf dekhne lage. Tabhi unki najar ek aadmi per tehar gyi. Vo aadmi koi 5"6 ka hoga. And uske garden or hath per kafi sare tattoo bane hue the. Jisse Bhai confirm ho Gaye ki yahi hai vo Banda. Ab Bhai ko use kaise bhi karke uthana tha. To bhi ne usko race KE liye chounoti di or gadi KE badle gadi ki shart rakhi. Jise usne swikar liya. Dono ko niyam samjhaye Gaye. Or kaha Tak Jana hai poora route bataya gaya. And fir race suru hui. Ek ladki dono car ke aage aayi or apni gand matka KE kapde ko neeche fek diya and dono gadiya chal padi. Karib 1 km ki race thi. Vo Banda Bhai SE aage hi chal Raha tha. Lekin Bhai to Bhai hai. Unhone thodi door Jake uski gadi ko aise takkar Mari ki uski gadi thodi slip Hui or road ki ralling se takra gyi. And Bhai ne gadi ko roka or reverse karke uske pass aaye or use gadi se nikala. Uske chehre per Kai jagah SE khoon nikal Raha tha. Usko chot aagyi. Thi. Bhai ne usko apni gadi me baithaya. And apni gadi ko apne adde per mod diya. Or baha jakar use ek Kursi se bandh diya. Or uske oper Pani dala jisse vo hosh me aaya. Or apne AAP ko bandha pa Kar Japanese me pata nhi Kya Kya bakne laga. To Bhai ne usko English me pochhne ka try kiya lekin sale gabar ko English aati hi nahi thi. Ab kebal ek hi Rasta tha or vo tha ruhi ko jagana. Kyuki usko sabhi language aati hai to bo beech me translation ka kaam karegi.

Bhai ne turant hi ruhi ko call kiya and usne thodi der baad uthaya.

Ruhi- kya hua boss sab think to hai.

Bhai- ha sab thik hai. Darashal Maine ek aadmi ko pakda hai. Or sale ko English bhi nahi aati hai to hamare beech communication nahi ban pa Raha hai. Issliye tumhe call kiya hai.

Ruhi- ok bolo Kya pochhna hai usse.

Bhai- use Yakuza KE main thikane or khas aadmiyo ki jaankari chahiye. Agar boss ka pata ho to uski bhi.

Ruhi- ok usko phone do me try karti hu. Bhai ne phone ko loudspeaker par karke uske pass kardiya. And fir ruhi ne usse kuch sawal pochhe Jo Bhai ko to bilkul samajhme nhi aaye. Khair ruhi usse kafi der Tak baat karti rahi lekin vo aadmi kuch nahi Bata Raha tha. Ruhi- ne ye baat Bhai ko kahi to Bhai ne apna torcher ka saman uthaya and uske pass hi baith Gaye or 1-1 karke uske dono hatho ki sabhi ungliyo ko kaat diya. Vo dard se mara ja Raha tha. Or thodi der me behosh ho gaya. To Bhai ne uske opper fir se Pani daal KE usko jagaya. Jisse bo hosh me aake fir se chillane laga. Bhai ne ruhi SE usse fir se pochhne ko kaha and dhamki bhi dene ko kaha.

Ruhi ne fir se try kiya usse pochhna lekin usne uss baar bhi nahi bataya. To Bhai ka para fir Chad gaya. And unhone abki baar uski paav ki sari ungliya kaat di. Abki baar to Sala itni jor se chillaya ki agar road per hota to aadha Tokyo jaag jata. Lekin Bhai ne uspe koi reham nhi dikhaya. Ruhi ne fir se try kiya to usne fir bolna suru kiya.

To be continued......
 
Back
Top