• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Indian XXX Waah! Life Ho Toh Aisi - All Hell Broke Loose


Update-249(The Overview)



Main hospital se nikala or abhi clear cut bataadun meri ribs mein bahot jyaada pain tha like bahot jyaada main pair niche nahi rakh paaraha tha theek se or ye badi problem hone waali thi. Filhaal Abeer or Bhai ki help se chal paa raha tha main.. . bahaar Bhai ki Range Rover khaddi thi or babhi baithi thi driver seat par.. Kyunki doctor ne bola tha slowly drive karna.. Nice dude.. 1 ghanta lagega ab..

Main-Tumhaari sunwaai ho chuki..??

Deva-Haan Inki class theek se lag chuki hain..

Main-Waise dekha jaae toh inhone bahot bada kaam kardiya I mean John k 5 aadmi gaye jo bahot badi baat hai.. Main injured hua woh toh waise bhi hona tha kyunki mere piche toh wohlog pehle se he lage they.. Lekin woh 5 fanse woh sahi hua ab musqill se 4-5 bandey bhi nahi bache honge uske pass..

Deva-Haan but still aise time par ye sab risk leke kya faayda..

Main-Keh shaktey hain.. Meri ribs ki bhaari lagi hai.. Pata nahi chal kaise paaunga thoda bahot pressure takk nahi daal paaraha inke uppar..

Babhi-Painkillers k baad aaram hoga kuch.. Subah takk chal paaega tu khud se..

Deva-Mangal Sam or Ravi teeno bimar padd gaye.. Jo Drugs diye they unhe behosh karne k liye woh bahot he dangerous they.. Teeno ko fever hai.. Abeer or Ami ne bhi raat ko injections wagairaah lagwaae hain tab jaake theek hue ye..

Deva-But yet again AP you saved the day.. Brilliant work.. That was some insane stuff..

Main-Woh diary Secured hai..?

Babhi-Haan diary tera futta hua mobile teri guns sab set hai..

Main-Woh bike..?

Abeer-Haan Police station khaddi hai..

Main-Uski details nikalwaao ussi gaon k ek tau ki hai usko bike or paise deke aajaana..

Abeer-Kitane..?

Main-Bc mujhe kya pata..

Deva- 10 laakh OK??

Main-Yeah more then ok..

Deva - OK Kal subah he bhejdenge..

Humlog ghar pohanchey mereko andar leke aaya gaya.. Toh humaare just piche piche Rishi aagaya sablog bimar hain toh office ye akela he sambhaal raha hoga..

Rishi-My brother.. Ummahhh.. Welcome back..

Main-Aaram se bc Dard horaha hai..

Rishi-Oh sorry my bad..

Main - Listen I need a new phone ASAP..

Rishi-I know bro subah tere uthne se pehle mill jaaega..

Main-Waah bc advance..

Rishi-Yep..

Khair uske baad humaari normal baatein hui ab main kuch khass kar nahi shakta tha Mele mein 4 din baaki they or abhi takk koi clue nahi tha mereko RJ kya karne waala Tha.. Uss Diary mein lawda kuch nahi Milla mujhe.. Ab main rest par tha toh decision ye Liya gaya ki Abeer or Bhai mele ki security kaa roundup karenge Kal subah yaani kahaan kahaan kya kya ho shakta Hai or kya kya options hain RJ k pass.. Kyunki mere baad bhai he hain jo kuch samjh shaktey hain.. Ab subah main utha toh medicines kaa farak tha main Atleast chal paa raha tha beshak slowly or langdaake he lekin khud se chal paa raha tha main. Fresh hua main.. Stairs par aaya Or deewar kaa sahara leke main niche bhi aagaya..9 baj gaye they subah k bc.. Niche Babhi Sam Meenu or Rishi they..

Main-Meenu teri gaadi is dead.. Bhagwaan uski aatma ko shanti de..

Meenu-Heheh.. Dont worry tum theek ho woh matter karta hai..

Rishi-Babes le tera phone..

Ye bol Rishi ne ek dibba meri taraf kiya.. Rishi jaanta hai mere taste ko I hate iPhones issliye Android he mangwaaya tha... "Samsung Galaxy Note 10 Plus" 512 gb/12gb..what the fuck.. Maine turant phone nikaala or dibba ek side rakh diya babhi ne dekhliya toh gand futt jaaegi bc 1 lakh rupaye kaa phone hai ye..

Babhi-Passand aaya.???

Main-This is cool.. Sasta he hoga??

Rishi-Haan 20 - 22 hajaar kaa he hoga..

Babhi-Ye thappad maarungi naa dono k dono wahan dewaar se lagoge jaake.. Almost 1 lakh Rs kaa mobile hai ye.. Itani bhi bewkoof nahi hun main..

Main-Ahem.. Waise bhai kidhar gaye??

Babhi-Abeer or Ami k sath Mela Ground mein gaye hain jaisa bola tha Kal..

Main-Listen Main Sam or Rishi jaake aatey hain dekhney k liye..

Babhi-Kyun??

Main-Aise he bus jaake dekhenge kya horaha hai nothing else I promise..

Babhi-Main sath chalungi..

Main-OK.. Done..

Maine Coffee finish ki medicines Lee Mera naya phone set kiya.. Then Main Rishi Sam or Babhi bahaar aaye Rishi ne Audi nikaali Toh Vinny bhi ready tha Vinny basically filhaal babhi ki personal security k liye hai.. Issliye woh or like 15-16 bandey alag alag 3 gaadiyon mein humaare piche they.. or Humlog nikale Mela ground k liye..

Rishi-Bahaar se log aane lage hain ground mein tents wagairaah lag gaye hain stalls and shops wagairaah k liye jagah fix hone lagi hai.. Games wagairaah waale setup lagaane lage hain..

Main-Hmm.. Time kam hai yaar.. Actually time toh bahot Hai RJ shyaana jyaada hai harr baar haar raha hai lekin still aage chal raha hai mujhse bhenchod ye logic samjh mein nahi aaraha mujhe.. aisa kya plan bana gaya bc ye..

Rishi-Dont worry tu figure out kar he lega..

Main-Yep.. Waise Vinny babhi k sath hai Jack bhai k sath hoga.. Tere sath kon hai??

Rishi-Actually.. Ek nahi total 20 bandey hain.. Abeer ko pata nahi kya sujha jo mere piche itane guards lagaa diye..

Babhi - Kyunki sabse jyaada bahaar tu he rehta hai alag alag meetings aana jaana logon se milna.. Toh Tere Bhai or teri security jaruri Hai..

Main-Exactly... Holy Shit..

Rishi-Kya hua???

Main-Abe piche gaadiyaan dekh kitani hain 10 gaadiyaan?? Bc war ladndey nahi jaarahe hun roukk toh gaadi..

Rishi ne gaadi roukki maine hath bahaar nikaalke Vinny ko aage bulaaya toh woh turant aaya.

Vinny - Ji boss..

Main-Itani gaadiyaan nahi yaar bahot awkward lagta hai.. Tumlog rukko baaki ko bhejdo.. Rishi akela jaae tab aaein sath bol unko..

Vinny-OK boss..

Aadhi gaadiyaan kam hui then hum nikale Mele k ground ki taraf.. . Wahaan pohanchey toh Entrance 1st par police thi or checking k baad he andar Jaane derahe they yaani scene suru hogaya hai mele kaa.. Khair humlog aaye andar toh jaisa Rishi ne bataaya Tha Stalls shops etcetera ki taiyaariyaan suru hogayi thi bc bahot jyaada badi jagah thi bhai gand fatt jaaegi security k time.. Fuck.. Khair wahaan ek taraf music chal raha tha shayad log rehearsals kar rahe they...wahin Saamne Bhai ki gaadi dikhi humein Rishi ne gaadi roukki or Humlog uttare gaadi se.. Wahaan Bhai Abeer or Ami k alaawa Anjali Jiya or Deepak bhi mojjud they...

Main-Wassup guys..

Deva-matlab rest toh lena he nahi hai..

Main-Nope

Anjali or Jiya Deepak mujhse Galle Mille haal chaal pucha..

Main-Toh kya scene hai???

Deva-Bhai bahot he awkward scene hai 7-9 possible spots hain bomb k liye.. Uske alaawa koi jagah nahi hai jahaan bomb blast ho or impact paddey itana.. Toh agar exact spot nahi bhi dhund paata tu, toh hum sab spots guard kar shaktey hain..

Main-50-50 hai kismat waali baat hogayi ye toh.. Milla toh theek warna lag gaye.. Mereko Atleast 99% chances caahiye success k..

Deva-Woh toh tu he kar shakta Hai..

Main-Karna paddega bhai..

Main aage kuch bol raha tha jab mujhe uss loud speaker mein ek Sound sunaai diya... Jisase main wahin k wahin rukk gaya..

Main-Oh My God.. What the hell...

Continued...
 

Update-250(The Hint)



Main-Ye music kahaan chal raha hai..?

Abeer-Wahaan iss tent k piche rehearsal kaa stage hai.. Log practice kar rahe hain..

Main-Let's go jaldi..

Abeer-Hua kya..?

Main-Sawaal baadmein..

Ye sun main uss Stage ki taraf badha.. Or mere sath sath baaki sab holiye.. Main thoda slow tha issliye sab mere sath sath he chal rahe they..

Humlog udhar pohanchey toh ek stage tha medium size kaa jo shayad rehearsal's k liye he lagaaya gaya tha wahaan ek 10-12 logon kaa group dance kar raha tha or classic old hindi song tha or log bhi mature they like sab 50+ honge.. Gaana tha "Jindagi ki yahi reet hai Haar k baad he jeet hai".. Sahi samjhe ye wahi gaana hai jo John ne last phone call mein gaya tha.. Or no way ye coincidence ho shakta Hai.

Main-Vinny music bandh karwaao..

Ye sun Vinny aage badha or uppar jaake music bandh karwaayaa jisase sab rukke or main aaya uppar stage par..

Main-Who are you guys??

Ispar ek budhau bola..

Budha1-Hello Deva Ji Pleasure to meet you..

Main-Uncle idhar.. Kon ho tumlog??

Budha1-Beta we are participants and practicing our dance here..

"AP"..

Ye awaaj jaani pehchaani thi ofcourse Ashish bhosdkaa..

Main awaaj ki taraf ghuma toh stage k piche se Ashish, Abhi, Arushi, Lucky, Mouni, Sneha or Even Anaa bhi uppar stage par aaye..

Ashish - Deva bhaiyaa parnaam.. Babhi slash madam Parnaam..

Ashish ne Dono bhai or babhi k pair chuwe same Lucky or Arushi ne bhi as woh teeno jaantey they school time se bhai ko or babhi toh humaari teacher he thi..

Abhi-Good Morning Deva sir..

Deva-Morning.. Aap sablog yahaan??

Abhi-We are hosting the event sir.. So practicing our timeline...

Deva-Oh ye toh bahot achi baat hai..

Ashi-Even AP bhi hai hosting team mein lekin iski haalat se lag nahi raha ye aa paaega.. What the hell happened to you AP itani injuries..

Main-Yeah Red John happened.. Sun ye jo sablog dance kar rahe hain inka kya scene hai..

Ashish - Aaram se bol be yelog retired government officials hain sab or ye Mele ki sabse badi event k participants hain.. Inka 6 minutes kaa dance most desired event hai mele k first day par..

Main-Mereko Papers dikhaa toh inke scene k overview se related..

Ashish - Anaa dikhaa degi piche hain tent mein..

Ye bhenchod meri gand marwaane ko taiyaar rehta hai aisa wingman banaaunga iski gand fodd dunga main ab mana bhi nahi kar shakta..

Main-OK.. Abeer.. Aa toh..

Main Or Abeer chal he paddey they ki Sam ki gand mein khujali hui..

Sam-Jaanwar tu rukk main chala jaata hun..

Abeer-Ok..

Ye Bol Main Anaa Sam Stage se niche piche ki taraf aaye tab Sam lawda juth muth kaa phone kaan par lagaake bola..

Sam-AP ek call hai tu chal main aaya..

Ye bhenchod meri setting karwaane mein bahot jyaada interested hain..

Khair Main Anaa k sath piche ek tent mein aaya.. Ussne bina kuch kahe ek paper uthaaya or mujhe dediya.. Maine woh paper liya toh ye unhi budhau log ki even se related tha.. Actually yelog Retired government employees hain jinhone apne apne feild mein naam or awards dono kamaaein hain or ye event bahot important hai basically mostly leaders vips or government officials inhi k Even mein present honge... Inke 6 minute k even kaa live telecast Prime Minister or President of India takk dekhenge ghar baithke .. Oh my god toh dhamaka isme hoga for sure isme hoga.. RJ RJ hint dene k chakkar mein bahot bakchodi hojaaegi tere sath.. Basically Mele k first day ki highlight thi ye budhau log kaa dance.. Jo baaki tha woh milgaya tha ek jhatke mein Sab clear hogaya tha.. RJ koi suspense nahi rakhna caahta tha hum dono k bich woh clear cut bolraha Tha ye karunga iss time karunga gand mein dum hai toh roukk le.. Ab Roukklunga don't you worry RJ..

Anaa-Bolna nahi ab bologe bhi kya..

Tab maine realise kiya ki Anaa mere saamne khaddi kuch toh bhi bol rahi thi..

Main-Sorry my bad..wassup??

Anaa-What happened to you??

Main-Frankly speaking sabse pehle toh accident hua actually hua nahi karwaayaa gaya then Fight hui... As a result ye sab..

Anaa-I want to ask a favor from you..

Main-Yeah sure..

Anaa-jab bhi tum hospital mein admit hoge Mereko tumhaare hospital room mein enter hone ki permission dilwaao.. I know tum VIP ho but yaar kam se kam dekhne toh dein tumhe.. Kissi ko pure block mein enter nahi karne detey.. Or Ami mereko aadhi baatein bataati hai..

Main-Sure boldunga main..

Anaa-Abhi bolo..

Main-Abhi???

Anaa-If you consider me as your friend abhi bolo.. Warna I am not talking..

Main-OK ok..

Ab maine maamla jaldi niptaaney k liye Ruhi ko call kiya..

Anaa-Speaker par...

Main-Sure..

Maine Phone speaker par kiya..

Main-Hello..

Ruhi-Where the fuck are you??

Main-Ghar he hun..

Ruhi-Ghar par main hun tu bahaar gaya hai.. Tera munh fod dungi main bola tha 16 hours kaa rest..

Main-Abhi bhi rest par he hun kuch bhi nahi kar raha even babhi bhi sath hain..

Ruhi-Still Jaana he kyun hai bahaar..

Main-Important tha.. Sun ek kaam Hai..

Ruhi-Bhonk...

Main-Next time jab main admit houn naa tere yahaan toh Anaa ko mere se milne ki permission dedena..

Ruhi-OK.. Ok.. Ok.. I see you Love in the air..

Main-Ahem ahem..

Ruhi - Fuck.. Yeah sure hojaaega no problem.. Teri friend hai teri marji..

Main-Bye Ruhi.. Thanks..

Call disconnected...

Anaa-In the air???

Main-Ruhi kuch bhi bolti rehti hai don't mind her..

Anaa-Ruhi ki problem nahi hai almost sablog yahi boltey hain jabki reality ye hai ki tum mere sath kabhi bhi nahi hotey still log ye sochte hain.. This is awkward..

Main-Log kuch bhi sochte hain unki taraf dhyaan naa do.. Or Dusari baat jaruri nahi jo 24x7 sath rehtey wahi relationship mein ho shaktey..

Anaa-I know.. But still its good to spend time with each other..

Main-Wait you are saying we should be in a relationship..??

Anaa-I mean kind of..

Main-Are you sure tum mere sath relationship mein rehna caahogi?? It's pretty tough you know.. Bahot galat scene hai mera dekhlo sochne kaa time dedeta hun tumhe.. Basically I am most hated person almost everywhere.. People are after my life.. Log mereko dekhtey he goli maarna caahtey hain.. Mere khilaaf almost daily news aati hain.. I am careless.. Issliye time lelo apna and think about all of this.. Ki tum mere sath relationship mein rehna chaahti ho yaa nahi..

Anaa-Tumhaara jawaab kya hai???

Main-Mera jawaab baadmein dunga ek baar sab baatein sochlo then hum baat karenge.. Mere sath 1 minute rehna he bad luck hai almost toh relationship kaa toh soch he lo tum.. Sab baatein dhyaan mein rakh k decision lena..

Anaa-OK..

Main-OK i gotta go know..

Ye bolke main turant nikal liya wahaan se.. Fuck bhenchod... Jaldi niptaane k chakkar mein ye sab bolna padda.. Ab isase nahi Millne waala main.. RJ ko niptaake nikal lunga main fir 1.0 Jaane or uska kaam Jaane waise bhi usse pata hai ye sab toh woh dekh lega..

Main bahaar aaya toh Sam khadda tha still juth muth kaa phone kaan mein lagaae..

Main-Bhosdk Obama k pass laga rakha hai kya chal..

Humlog waapis stage par aae..

Main-Hey guys guys.. Lets gather up...

Ye sun ke Bhai or baaki Abhi gang and woh budhau log ki gang sab log mere saamne aagaye..

Main-So listen i can't wait for your performance aap sablog iss age mein bhi most desired hain.. And i am sure aaplog stage faad doge...

Budha1-Thanks beta..

Main-But we have a small issue here.. So due to security reasons aap sablog ko identify karna hoga humein.. Issliye please aapke pass jo police waala aaye usko apni ID and proof provide kijiye..

Budha1-No problem beta lekin iska reason kya hai??

Main-Security procedures hain uncle actually main bhi hosting team mein hun toh ussi hissab se ye sab horaha hai.

Budha 1-Ok..no problem.. Guys lets provide them with our id's..

Main Anjali or bhai ko side mein leke gaya

Main-Anjali sabko ek side lo or har ek bandey ki I'd check karo or unke past ko verify karo.. Ki yelog kabse hain yahaan.. Jo bandey pichle 1 saal se pehle kaa record provide naa karwaa shake usse arrest karlo..

Anjali-Reason??

Main-RJ ne mereko hint diya tha ki iss performance k time he hoga jo kuch bhi hoga.. Or mereko thoda saa shakk hai ki iss budhau log ki team mein at least 1 member toh usska hoga he jo sabkuch dekh raha hoga jo details provide kar raha hoga.. Mereko lagta nahi aisa kuch hoga kyunki aisa hota toh RJ hint nahi deta.. but check karne mein kya problem hai..

Deva-Lekin sab kuch calmly hona caahiye inmein se koi naraaj hua toh badi problem hojaaegi..

Anjali-Sure bhaiya..

Mujhe nahi lagta inmein se koi RJ kaa banda hai but still ek verification check mein kyaa jaata hai apna..

Continued..
 

Update-251(The Talks)



Anjali or baaki k police constables ne un budhau log ko ek side liya or unki id's check karne lage.. Main thoda durr baitha tha Bhai or babhi k sath .. Unmein se kuch log k pass filhaal I'd nahi thi toh unke sath 4-5 police waale unke ghar bheje or 30 minutes mein Sab verify hogaya.. Koi shakk k laayak banda nahi Milla unmein se as expected.. Or unko thanks bolke hum sablog aagaye ghar... Uske baad maine Pooja or Priyanka ko bulaaya team office (Haweli k Garrage Mein Hai jo) mein, Or unke sath main Or Abeer aaye apne garage yaani humari team k headquarters mein..

Pooja-Hukkam kijiye boss kaise yaad kiya..

Main-Mere pass ek photo hai or tumhe issko dhundana hai footages mein..

Pooja-OK easy hai verification check software chalaa denge..

Main - OK theek 6 months pehle ki 20 din ki footage miljaaegi tumhe Delhi Airport se or un 20 din ki footage mein tumlog ko is bandey ko dhundana hai..

Pooja-20 din?? Oh god.. 480 hours..

Main-Time lagega??

Pooja-I mean Haan bhi or nahi bhi.. Actually hum different computers mein automatic varification process chala shaktey hain jisase sab mein verify hota rahega ek he time par.. Lekin Atleast 18-20 hours lagenge boss.. Or Agar luck sahi hua toh pehle din ki cctv footage mein bhi mil shakta Hai woh..

Main-Fuck.. Ok still jitana jaldi ho shake utana jaldi karo ye.. Tum dono best ho isme issliye lagjao shifts mein lago.. Mereko pata karna hai ye banda kahaan se aaya tha or kab..

Priyanka-OK.. Pooja reasy ho?? Non stop 24 hours +...

Pooja-Main excited hun aajtak kabhi itana lamba continuesly kaam nahi kiya so as a challenge leleti hun isko..

Main-Best hai.. Ek banda chhod jaata hun main yahaan jo bhi caahiye usko boldena.. Get to work girls.. Tum dono k uppar bahot kuch depend karta hai filhaal..

Pooja-Don't you worry boss.

Ye bolke main or Abeer bahaar aaye..

Abeer-Kon hai be ye photo waala???

Main-Andhere mein teer chalaaya hai results aaye toh bataa dunga kon hai ye..

Uske baad main apne room mein aagaya ab 1 ghantey baad hui ek gandu ghatna... Jahaan FIA (Pakistan) waale rukke hue they yaani humaari property par wahaan par kuch logon ne pathar, Petrol bomb wagairaah fainke.. Uss situation par main nahi jaa paaya as babhi ne saaf mana kardiya toh Abeer Mangal Or baaki sab gaye.. Or thodi derr baad Abeer kaa call aaya..

Main-Kya scene hai??

Abeer-Wahi puraana sab kissi gandu ne fake information failaadi ki Yahaa Pakistan waale reh rahe hain or terrorist activities failaa rahe hain.. Or log toh wait he kar rahe they kardiya attack.. Kissi ko chott nahi aai as apne guards they wahaan..

Main-Bhenchod log pata nahi kab samjhenge..

Abeer-Dekh yelog bahot darre hue hain Javed (uss team kaa leader hai jo) kaafi tension mein Hai wohlog waapis Jaana caahtey hain.. Maine samjhaaya ki security double karwaadunga main.. Lekin ye place compromised hai issliye main soch raha hun Inko haweli shift karwaalein waise bhi kuch he din ki baat hai or haweli mein uppar reh lenge toh bhi kuch problem hai nahi apne ko.. Bhai raaji hain.. Tu kya bolta hai??

Main-Yeah sure...

Call disconnected..

Interesting humaari property hai woh sabko maalum Hai toh aise toh kissi k gand mein dum hoga nahi ki attack karein seedha.. Kuch toh gadbad hai beta kya?? Jaruri nahi RJ se related ho koi or gandu bhi Jaan bujh k karwaa shakta Hai ye sab.. Lekin ho bhi shakta Hai RJ ka he koi hint ho..

Khair shyaam takk main room mein se hilla nahi main plans Banaa raha tha bc plans bhi aise jo impossible hon kyunki kuch toh karna tha ab shyaam 7 baje mere room kaa door knock kiya kissi ne..

Main-Khulla hai..

Door Khulla or Abeer andar aaya uske sath sath FIA ki puri team.. Reintroduce karwaadunga in sabse... Team kaa leader hai Javed 50 - 52 ki age safed baal typical Secret agent jaisa he lagta hai woh.. Lekin kaafi serious or passionate banda hai thinking kaafi sahi hai iski attitude nahi hai isme experience bahot Hai lekin jo maine pehle bhi dekha hai.. Uske baad 2 male Abdul or Jamaal 28-32 k bich k hain dono innocent bandey lambe tagdey intelligent hain yelog bhi lekin thode experience less hain jisme Javed help kardeta hai inki.. Uske baad last hai ek maal ladki Nazia 23-25 ki age patla saree gora rang.. Cute saa traditional attire pehne rehti hai woh humessa or jyaadatar chup he rehti hai.. Actually ek time par isko meri setting banaane ki soch raha tha 1.0... Lekin fir pata nahi kya hua lekin jo bhi ho bhai maal hai ye...

Khair Back to present wohlog aaye main bed par baitha tha..

Abeer - Wassup.. These guys wanted to talk to you..

Main-Hi.. Sure.. Aao baitho sab..

Abeer ne chairs lagaai or khud mere pass bed par baitha..

Javed - First of all its good to see you like this.. Alaah kaa sukhar hai aapko jyaada chot nahi pohanchi..or uske baad main aapka dhanywad karna caahunga jitani aapne humaari madad ki hai un sab k liye.. Aap jaisi shaksiyat bahot Kam hoti hain iss duniya mein.

Main-No Problem Javed Bhai.. Its all good..

Javed-Ab Baat karein John ki toh aap bahot close hochuke ho uske... Jaisa maine bataaya main 50 paar hogaya uska picha kartey kartey iss bich Asia ki top secret services, Investigators ko dekh chuka hun main uska picha kartey hue lekin koi itana close nahi pohancha jitana aap ho..Aapka dimag he alag hai..

Main - main banda he alag hun Javed Bhai..

Javed-Ye bhi hai.. Lekin jaisa ki aapko pata he hai or jaisa aapne bataaya Tha ki ye John kaa last round hoga or aap attack ki location bhi pata lagaa chuke ho jo bahot achi baat hai..

Main-Ussi ko leke Mujhe aap sabki help caahiye hogi Main Injured hun as sabko pata hai.. Issliye Kal se he aap sablog Abeer wagairaah k sath jaake mele ki location scout karne lagjaao..

Javed-Ji jaisa aap kaho...

Abeer-Bilkul inka Experience bahot kaam aaega ab iss stage par..

Main-Best hai ye..

Abdul-Ji jarur..

Uske baad thodi normal chit chat hui unsabney thanks bola ki unhe yahaan theharney diya humne.. Jo basically mere hissab se bahot achi baat thi kyunki bahaar bhenchod bahot gandu log ghum rahe hain jo wait kartey rehtey hain aise shareef log kab millein or kab inke uppar apni haiwaaniyat dikhaaein wohlog.. But belive me agar mere pass time hota toh main dhund leta kissne inke uppar attack karwaaya or kon hate failaa raha hai or usko fir kuttey ki mout maarta..

Ab sablog chale gaye bus bacha Javed wahaan par.. Mereko kuch puchna tha usase kyunki jitana passionate haina woh John k piche 100% John ne iske koi close bandey ko maara hai..

Main-Javed bhai bura naa maanana lekin aapko kya chott pohanchaai hai John ne jo aap usko itana desperately pakkadna caahtey ho..

Ispar Javed ne apna chashma hataaya or mere pass aake baitha..

Javed - Chot aisi pohanchaai hai AP sahaab ki 24 saal hogaye aaj bhi theek se so nahi paata main..

Main-Hua kya??

Javed Bataana nahi caahta tha matlab koi bahot he close tha uske..

Main-Javed bhai bataaoge toh or ache se madad kar paaunga main aapki..

Javed-bataane laayak kuch hai nahi AP sahaab...

Main-Ye toh fir ek second mein paraaya kardiya aapne..

Javed-Nahi baat woh nahi hai..

Main-Toh fir bataaiye..

Javed- kaafi saal hogaye uss baat ko AP sahaab aaj aapko bataa raha hun keval.. Ye sab suru hua jab John Sabse pehle Pakistan mein aaya officially.. Sabko pata tha ki ye kon hai kya karta hai or kitana khunkhaar hai or uss time main agency (FIA) mein naya naya select hua tha.. Uss samay John kaa case koi nahi lena caahta tha kyunki sab darrtey they ab main naya tha toh ye case mujhe pakkada diya gaya main khuss tha ki mere jaise shaks ko itana bada case Milla.. Ab case mein main kho gaya.. Or iss bich ek galati kar baitha jisko aaj tak bhugat raha hun... Main John k aas pass bhi nahi pohanch paaraha tha or woh rojj logon ko maar raha tha issi frustration mein maine ek local news channel ko diye interview mein usse bhalla bura Keh diya.. Jab woh Pakistan se jaa chuka tha lekin uske baad woh waapis aaya, mujhe sabak sikhaane k liye.. Mereeee Merrreee...

Javed Ki aankhon Mein anshu aagaye they lekin mereko ye interesting lag raha tha ki kaise bhenchod choti si baat k liye woh waapis aaya.. Isase saaf hai ki kitana level minded hai John..

Javed-ussne 5 Minute mein meri jindagi ujaad di AP sahaab.. Mera chota bhai uski biwi, meri Biwi, yahaan takk ki meri budhi Maa ko bhi nahi baksha... Mere pure khaandan ki laash mere ghar k aangan mein chhodke gaya Woh.. Woh manjar AP sahaab aajtak meri aankhon k saamne ghumta hai.. Main kuch nahi kar paaya FIA kuch nahi kar paai.. Meri ek choti si galati ki wajah se mera pura pariwar khatam hogaya Sahaab ye bojh leke jee raha hun main bahot baar khudki Jaan lene ki koshish ki lekin himmat he naa hui.. Uske baad se he main harr jagah uska picha kar raha tha mereko matlab nahi kon pakkadey usse kon nahi mujhe bus usko dekhna hai or puchna hai kyun?? Meri galati ki saja un mashoom logon ko kyun?? Harr desh mein main uske piche gaya harr jagah se beijatt hoke nikaala gaya mujhe. Mere sathi agents hassne lage mujhpar..Koi usko pakkad nahi paaya koi pass takk nahi aa paaya maine toh umeed he chhod di thi.. Lekin kehtey haina Allah k yahaan mein derr hai andher nahi.. Ussne mujhe aapse milwaaya or ab mujhe yakeen hai Usko uske kiye ki saja jarur millegi..

Bhenchod Psycho hai John budhi ko bhi nahi baksha bc iski story sunke mann mein aaraha hai ki isko he maarne dun john ko ye deserve karta hai bc.. Lekin karna mereko he hai issliye iska badla main he le lunga.. Bhenchod socha naa Tha aise clam collective bandey k piche itana bada raaj chuppa hai.. Woh bechaara ro raha tha buri tarah..

Main-Javed bhai aapki kasam Aapka badla main lunga or aapke saamne lunga.. Woh kehtey haina Jo kiya hai woh bhugatna toh padega he.. John ko bhi bhugatna padega.. Dont you worry.

Iss bich mera Phone baja jo Private number se tha Chang private number use nahi kar raha toh kon hai John??? 100 % John...

Main-Hello..

John-Hello AP..

Main-First Toh suno ye jo harkatein tumne karwaai haina meri family ko kidnap karne waali woh bahot he waahiyat hain dirty game khel raha mere Sath??

John-Meri teams ko main nahi bataata AP ki unhe kya karna hai woh Khud se kartey hain mera koi contact nahi hai unse agar hota toh tumlog pakkad chuke hotey.. Mera contact bus uss din aaega Jiss din jaruri Hai..

Main-I know.. Still.. I am coming for you..

Call disconnected.. Maine Phone kaat diya jyaada bakchodi nahi karna caahta tha main Javed k saamne woh bechaara abhi bhi Ro he raha tha.. Uske saamne John se baat karn awkward laga mujhe woh bhi tab jab ussne just mujhe apni tragedy sunaai ho ki kaise John ne uska sab lutt liya..khair John Beta Din Najdik aarahein hain..

Continued..
 

Update-252(Investigating)



Javed ko tassali deke bheja maine uske baad raat hui mera dinner uppar he mangwaaliya tha maine.. Priyanka k pass call kiya maine jo niche office mein thi wohlog pichle 12 ghantey se lage paddey they lekin abhi takk kuch hath nahi laga tha... Bhenchod ye teer ulta aata hua dikhaai deraha tha mereko..khair isase jyaada expectations bhi nahi thi mereko.. Dinner k baad main medicine leke so gaya .. Lekin meri nind khulli ek phone call se bc time dekha toh subah k 3.30 baje they what the fuck.. Maine Phone dekha toh Priyanka kaa tha..

Priyanka-Boss we got something come down fast...

Main-oh my god.. Abhi aaya..

Call disconnected...

Main turant bed se utha munh dhoya or gate kholke niche uttara slowly slowly as pain tha still.. Bahaar aaya then wahaan se seedha garage mein gaya... Bc guards chownk gaye ki hua kya unko shant karwaayaa.. Uske baad niche aaya garage k..

Main-Jaldi jaldi i can't wait to hear the good news..

Pooja-Ye dekho jo aapne pic di thi ye banda..

Maine screen par dekha toh same banda tha bus kapdey alag they...

Pooja-Ye banda 23rd January ko aaya tha dopehar 2 baje...Bangkok se direct flight this iski.. Akela he dikha humein toh harr video mein bahar taxi Lee issne wahaan takk ki footage hai humaare pass..

Main-Bangkok??? Hmm ye toh teer galat lag gaya.. Bangkok se kaise aagaya ye bc..

Pooja-Woh toh aap jaano..Bangkok se issne subah 9 baje flight Lee thi or Delhi ye dopehar 2 baje land hua wahaan se ek local taxi Lee issne.. Iska passport wagairaah sab ki copies ye rahi.. AAI(Airport Authority Of India) Delhi ne bahot gaali di humein jab subah 3 baje call kiya unko.. Lekin details Mail kardi unhone.. Passport par naam "Asif Hashwani".. Age 56 occupation Fertilizers k business mein Hai.. Birthplace - Sharjah, UAE..

Main-Ok OK.. Tum dono gajab ho gajab se bhi uppar you guys are the best.. Ab jaake rest le shakti ho tumlog andar..

Pooja-Thank god tere kaam kaa kuch Milla.. Love you good night.

Priyanka-Night Babes..

Main-Night..

Woh dono wahaan se chali gayi apna kaam Kar gayi lekin main ulajh gaya bhenchod baaki sab theek lekin birthplace Shrajah or Bangkok se aaya ye 2 cheejein match nahi kar rahi thi.. Passport nakali ho shakta Hai no problem toh birthplace kuch bhi likhwaa shakta Hai.. Lekin still Bangkok mein kya kar raha tha woh.. Hmmm maybe Confusion create karne k liye ghum k aaya ho???

Oh fuck, ye he ho shakta Hai.. Humein chutiya banaane k liye Bangkok se aagay ho taaki koi dhyaan he naa de.. Fuck.. Main utha wahaan se woh sab details apne mobile mein forward ki or bahaar aaya gaadi nikaali or seedha nikala uss hotel k liye jahaan Chang tha...hospital se usse Uppar room mein shift kardiya gaya tha.. Uss jagah ki security bahot high thi uppar se high command ki jagah thi toh koi dikkat nahi thi Chang ko wahaan. Main subah 4 baje wahaan pohancha gaadi park ki toh gate par ek guard ne pehchaan liya mujhe ussne dekha tha mereko niche uss din.. Ussne salute kiya mereko or Chang k room takk leke aaya jo first floor par he tha.. Maine darwaja knock kiya toh thodi derr baad gate khola Chang ne jo still nind mein tha..

Chang-Boss itani subah subah???

Main-Yep.. Hatt bhosdk andar toh aane dey..

Main andar aaya ussne gate bandh kiya..

Chang-kya hua??

Main-Tere contacts they naa Thailand mein kaafi..??

Chang-They nahi hain still..

Main-perfect.. Ek kaam Hai Ye details hain iss bandey ki issne 23rd January ko subah 9 baje Bangkok Airport se Delhi ki flight Lee thi mereko iski details caahiye ye kahaan se aaya tha usase pehle kyun aaya tha kya kar raha tha
.. Kar shakta Hai.??

Chang-Haan easy hai but thoda wait karna padega time kya hua hai??

Main-apne 4 baje hain toh unke yahaan 5.30 baje hain...

Chang - Toh 1 ghantey kaa wait hai...

Main-OK main yahaan baitha hun tabtak..

Chang-Hai kon ye..

Maine usko thoda samjhaaya kon hai woh uske baad maine usko Delhi waale kand k baare mein bataaya then High command waale kand k baare mein bataaya and then Red John waale kand k baare mein bataaya uss bich ussne details forward kardi.. Jinka results aaye 2 ghantey baad yaani subah 6 baje..

Chang-Boss ye banda 21st January ko Karachi se aaya tha Bangkok... Fertilizers kaa business hai iska ussi k silsile mein aaya tha..

Main-Oh Hell yeah Karachi... Ye jagah toh caahiye thi mereko.. Gajab. Ab ye bata Pakistan mein toh or jyaada contacts hain tere.

Chang-Yep Pakistan mein kuch karwaalo merese..

Main-Gajab.. Ab karachi k contact se baat Kar usko details de iss bandey ki or pata kar ye kon hai kon nahi ye passport fake hai 100% toh photo bhijwaa or jitane bhi fake passport banaane waale karachi mein Hai sabke pass bhej Bandon ko ek he tune par .. Wahaan se asliyat pata chalegi

Chang-Paisa??

Main- jitana tera mann kar raha hai utana de no tension..

Chang-Fir toh hojaaega next 8-10 hours mein iski janam kundali miljaaegi aapko..

Main-Shabbas harr detail caahiye mereko..

Chang-Ji boss..

Waah beta waah confuse karne mein almost kamyaab hogaya tha tu lekin Bangkok or tere Occupation mein baat nahi bani or gand Marr gayi teri.. Main ye sab soch raha tha ki Babhi kaa call aaya mere pass..

Babhi-Kahaan hai tu??

Main--Abhi aaraha hun... Ghumne nikala tha..

Babhi-Subah 3.30 baje??? Guards ne bataya mujhe..

Main-Haan dekho babhi ab rest period hogaya hai over 12 ghantey bole they usase jyaada rest leliya maine ab karna hai kaam bahot jyaada kaam.. Ghar he aaraha hun main..

Babhi-Jaldi aa..

Call disconnected.. Main ghar aaya naasta kiya toh babhi ne bhaashan diya ki kissi ko sath lejaaya kar.. Uske baad main room mein aake fir so gaya kyunki nind puri karni thi or karne ko kuch tha nahi.. Mele mein 2 din baaki they or main bahot kuch pata kar chuka tha jaise kiss time attack hoga kitane bandey ho shaktey hain kaise hoga..?? John 100% blast karega for sure.. Or kya options hain?? Poisonous gas?? Lawda open mein Hai mela gas kaa effect itana nahi hoga.. Shooting?? Lawda itana risk hai isme no way.. Paani yaa Khaane mein kuch?? Toh iska impact nahi hoga alag alag Paani k sources hain or alag alag Khaane k aajkal bc Sab bottled water letey hain.. Ikka dukka koi wahaan se peene waala hoga. Toh?? Aag lagaadega? Kahaan lagaaega bc wahaan se bhaagne k itane raaste hain ki pure mele mein aag lagaa dega toh bhi sab bach jaaenge... . Toh bacha hai keval bomb.. Most effective.. Usse maalum Hai mela cancel nahi hoga issliye ussne ye sab challenges diye mujhe.. Bhenchod shyaana hai. Khair main soke dophar 12 baje utha Nahaaya Mast garam Paani se.. Abeer or baaki sab Javed or team k sath mele ki location par they issliye ghar mein keval main Babhi or Meenu he they..humne lunch kiya or uss time aaya Chang kaa mail.. Sab milgaya tha sab details.. Oh my god this is fucking huge fucking huge mate.. Chang is a motherfucking genius... Ab mereko Jaana tha maine Lee deagle or nikala ghar se Maserati leke bhenchod meri Maserati gunjatti hui nikali sadkon se.. Main pohancha City k outskirts mein..almost gaon he tha ye ek or isme ek side mein ek ghar tha jahaan mereko Jaana tha.. Wahaan tha mera shikaar..

Maine gaadi rouki or us ghar kaa darwaaja khatkhataaya...

Continued...
 

Update-253(Gote'm)



Darwaaaj jaldi he khulla or khultey he mere saamne tha ek Uncle age hogi 50 k uppar niche mujhe dekhtey he woh hadbadaaya lekin usase pehle maine deagle taan di uske uppar..

Main-Chicha hiloge toh saheed ho jaaoge..

Uncle-Waise konsa jinda chhod doge tum..

Main-Depend karta hai.. I have a better deal for you andar khisko chalo andar.. Chal chal chal.. Abe chal naa bhosdk..

Woh gate se piche hatta.. Main andar aaya gate bandh kiya..

Main-Dekho chicha Tum agar koi suicide pill khaake uppar Jaane kaa try kar rahe ho yaa koi or tareeke se Marrne waale ho toh pehle he bataadun Matt karna bahot pachtaaoge..

Main-Baitho..

Woh mere saamne sofa par baitha..

Uncle-Kaise pata chala tumhe?? How??

Main-Actually farak pata hai kya hai mera dimag bahot jyaada tejj hai itana jyaada tejj ki harr cheej dikh jaati hai isko.. Actually main jab Kal subah Mele ki location par gaya tha or wahaan maine tum budhau logon ko dekha then mujhe pata chala ki Tumhaari event sabse important hai tab mujhe laga ki ho naa ho 100% tum mein se ek banda toh John kaa hai he... Issliye maine tum sab ki id's wagairaah maangi or tum oversmart bano issliye maine khud kuch nahi kiya chodu Constables ko lagwaaya kaam par. Kyunki mujhe maalum tha unke saamne tum galati karoge kyunki woh noobs hain or tum easily chutiya Banaa shaktey ho unko or issi overconfidence ki wajah se maine unhe lagaaya verification par... Mereko 3 Bandon par shakk tha jinmein se 1 tu tha.. Or jab wohlog id's wagairaah check kar rahe they toh mera dhyaan tum 3 par he tha durr se he sahi lekin tha tum par he or jab tere pass ek constable aaya toh tune I'd jarur dikhaai lekin baaki proofs nahi they tere pass ki kahaan kaise kabse job kar raha hai tu then tune uss constable ko behlaaya or usse paise dene kaa bola.. Ab mujhe laga ki ho shakta Hai ghar takk Jaana Nahi caahta ho tu iss ummar mein issliye paise deraha hai usse.. Lekin still shakk tere uppar tha mereko.. Then maine uss constable ko pakkada toh ussne bataaya ki teri work id ghar reh gayi hai or ab kon jaae isase achaa yahin le de k maamla rafa daffa kartey hain.. Tab maine Lee teri photo Wahaan se.. Or fir kiya tereko search believe me 24 ghantey non stop logon ne kaam kiya jab jaake tu Milla hai mereko..Bangkok waala scene Chutiyaapa hogaya tere sath or sabse bada Chutiyaapa tune kiya jab tune Delhi k liye flight lee agar tu Mumbai ki flight leke by road yaa by train yahaan aata toh main kabhi nahi dhund paata tereko.. Lekin tum oversmart bandey socha hoga ki itane puraane records kon dekhega or yahi oversmartness tumhe marwaa degi.. Itana bada plan karke Karachi se Bangkok gaya tu lekin end mein marwaali khudki..

Uncle - Lekin Bangkok se pehle kaa kaise pata chala tumhe??

Main-Mere contacts harr jagah hain tu chinta matt kar baat sun meri.. Mereko caahiye kuch information..

Uncle-Or tumhe kya lagta hai main Dedunga tumhe.... Goli maarke khatam karo ye sab AP..

Main-Tu bhosdk tera toh baap bhi dega.. Ye dekh toh..

Ye bol maine mere phone ki screen uski taraf kar di jiske uppar kaafi saari photos thi jinhe dekh k woh apni jagah par khadda hogaya uski aankhein bahaar aake girrney ko hogayi...

Main-kya hua pehchaana nahi?? Main bataata hun Ye jo lady hai ye hai teri biwi i mean ex wife talaak ho chuka tera 14 saal 10 maheene pehle ye tereko bilkul passand nahi karti lekin Haan Tu jarur isko passand karta hai issiliye toh inke pass paise bhejta hai chupp-2 k.. Ye jo banda hai ye hai tera beta jo January ki 17 taarikh ko 18 saal kaa hua hai tune karachi se nikalne se pehle isko happy birthday kaa email bheja tha or yahaan takk ki courier se gift bhi bheja tha ek dost banke kyunki as a baap toh tereko passand nahi karta woh waise bhi.. Ye agli jo photo hai ye hai teri dono betiyaan judwaan hain dono same Hai sab kuch even terese Nafrat bhi same same he karti hain ye...Tera asli naam hai Altaf Amir logon k hissab se tu ek Import export businessman hai iss liye jyaadatar bahar he rehta tha tu lekin real mein tu John k sath rehta tha lekin ye kissi ko nahi maalum mujhe bhi nahi main bus guess kar raha hun kyunki jitani teri age or experience hai mujhe 100%lagta hai tu John k Khaas Bandon mein se ek hai or humessa uske sath raha hai .. Ab tu lagaatar maheeno takk ghar nahi aata tha apni family ko time nahi deta tha jisski wajah se tera talaak hua or teri biwi bache tujhse kadi nafrat karne lage.. Lekin tu abhi bhi unse beintihaa pyaar karta hai.. Jo Mere liye bahot achi baat hai.. Tune saari jindagi tere pariwar ko chuppa k rakha bahot ache tareeke se chupaya bhi tune lekin aaj fans gaya.. Tere ek happy Birthday k mail ne teri gand marwaa di..

Woh bus aankhein faade sun raha tha.. Bc mera teer ek dum khopdi mein lag gaya tha...

Main-Ye Photos jo hain woh aaj kuch ghantey pehle k he hain..Or ab Deta hun main tereko choice Pehli Yaa toh Main Jo puch raha hun woh mujhe bataa dey or main keval tujhe maarunga or khel khatam yaa fir tu kuch Matt bol or main tere sath sath tere pure pariwar ko maardunga..

Uncle- tt.. Ttu ye...

Main-Haan Haan maalum Hai mereko kya bolraha hai tu ki tu toh AP hai tu ye nahi kar shakta.. Lekin real mein ye tujhe bhi maalum Hai main ye kar shakta hun or karunga mujhe 1%bhi dikkat nahi hogi un sabko marwaane mein woh bhi aisi mout jo tumlog bhi nahi detey apne victims ko abtak toh tujhe maalum chal he gaya hoga ki main kya kya kar shakta hun.. Mujhe ghanta farak nahi padta kon marrta hai kon nahi.. Bus mera kaam pura hona caahiye.. Ab main time waste nahi karunga ye Matt sochiyo ki tu kuch khaake Marr jaaega abhi,, tere marrne k baad bhi unko maardunga main agar mujhe sab nahi bataaya toh..1 ko chhod dunga tere bete ko or usse pata chalne dunga ki ye jo kuch hua teri wajah se hua.. Jisase woh or Nafrat karega tujhse... Apni saari jindagi woh 2 he logon se nafrat karne mein nikaal dega 1 main jo un sabko maarunga 2 tu jiski wajah se main unko maarunga.. Then woh bada hoga issi gum k sath or fir hero banke mujhe maarne aaega lekin kamyaab thodi hoga tab main usse maarunga kyunki asli maja toh tabhi aaega..

Uncle-Kkkyun??? Kyun ye sab??

Main-Aji waah bhenchod tum logon k pure pariwar khatam karo toh koi dikkat nahi tum meri saari family ko kidnap karwaao toh koi baat nahi or ab tumpar aai toh "kyun Kar rahe ho ye sab"??? Ye kaisa dogla pann hai bhosdk..

Uncle-Lekin unhone tera kya bigaada hai??

Main-Toh in hajaaron logon ne tumhaara kya bigada tha jinhe maar chuke ho tumlog..

Uncle-woh t.

Main-I don't care 10 takk count karunga yaa toh sab bataa dey yaa main abhi call karta hun or 60 seconds mein tera Saara pariwar khatam.. Live dikhwaaunga tujhe chinta naa kar.

Uncle- Main dhoka nahi de shakta..

Main-apne pariwar ko bhi toh dhokha he dega tu meri help naa karke unki kya help kardega tu bhalla.. Choice is Simple John Yaa fir tera pura pariwar jo abhi khuss rehney laga hai teri dono betiyon ko bahot achi noukari milli hai ek kaa toh nikaah bhi hone waala hai or Dusari ki bhi baat chal rahi hai..Ladka Punjab Traffic Police Mein CI hai..

Uncle-Ttt...

Maine phone nikaala or Chang ne Jo Number diya tha uss par call karne laga..Phone speaker par daala.. Saamne se ek shaks ki awaaj aai..

Aadmi-Ji Janaab..

Main--Position mein ho??

Aadmi-Ji Janaab Ladkiyaan abhi aai hain noukri se ghar main bilkul saamne hun bus aapke order kaa wait hai..

Main-Ek baar video call kar raha hun dikhaa dena isko sab..

Aadmi - Ji Janaab..

Maine Video call ki or dikhaya Budhau ko live scene toh clear tha ek ladki abhi bhi bahaar he thi kissi Dusari ladki se bat kar rahi thi.. Ab budhau ki fatti double..

Aadmi-Hukkam karein Janaab..

Main - Rukko 1 second..

Uncle - lleknn...

Main-bolne kaa times up 10 seconds kaa time deta hun tereko faisla karle.. 1....2.....3......4.....5......6

Woh bokhla gaya tha baithey - 2 ko paseeney aarahe they usko...Saara kaanp gaya tha woh..

Main-7......8.......9......

Video mein mera jo contact tha woh badha aage iss budhau ki beti ki taraf usne gun takk dikhaai Video mein.... Its getting interesting now..

Continued..
 

Update-254(I am Not A Hero)



Mera contact bilkul uss ladki k pass aagaya tha ready tha woh tab budhau chilaaya..

Uncle-(chilaake) theek hai theek hai bataata hun please isse hataado wahaan se please..

Main-(Phone par) Haan bhai standby par raho...

Aadmi-Ji Janaab.

Main-Doobara phone karun tabhi aage badhna.. Warna samjh Jaana deal cancel.. Paise pohanch jaaenge.

Aadmi - ji Samjaa..

Call disconnected..

Uncle - You are a fucking monster or tum apne aapko hero samjhtey ho..

Main-Shut the fuck up i am not a hero fuck that fuck being a hero I don't give a fuck about anyone else I am a very selfish Person Amir I don't give a fuck kon Marra kon nahi.. Main literally tere saare pariwaar ko khud jaake bhi maar shakta hun.. I don't care woh innocent hain I don't care woh tere sath nahi hain..

Uncle-You are a fucking Psycho..

Main-Sahi samjhe... Toh Haan sir ab aaya time thodi baatein karne kaa.. Mere sawalon k jawaab do ab I can't wait anymore...

Main-Pehla sawaal John kon hai?? Uska koi photo wagairaah??

Uncle-Photo nahi hai koi sketch banwaa shakta hun mai..

Main-Chalega. Woh bhi yahi bulwaalunga main.. Achaa Kya plan hai John ka or kitane bandey baaki hain or kya situations hain??

Uncle-Mere alaawa 7 Or John khud..

Main-What the fuck meri calculation k hissab se toh 23 he killers They..naye bandey add kar liye kya..? Kyunki 19 main khud maar chuka hun ek John ne maardiya yaani marre 20, abhi bhi tere samet 9 or bache hain.. Itane kahaan se aagaye bc??

Uncle-Nahi sab killers nahi hain.. Kuch planners bhi hain, jiss desh mein humein Jaana hota hai wahaan humaare 1-2 bandey rehtey hain jo humaara sab intejaam karwaatey hain rehna, id, jobs or baaki sab.. Ye jabki humaara aakhiri mission tha issliye John ne sabko ek sath karliya sab ko sath karliya ussne lekin rakha alag alag teams mein he.. 1 team ko Dusari team k baare mein kuch bhi nahi pata tha taaki ek team pakkadi bhi jaae toh Dusari ko kuch naa Pata ho.. Humaari Main team mein keval 18 he bandey they jinmein se 11 Marr chuke hain baaki jo bandey marre woh humaare contacts they lekin sab jo suru se Humaare sath he they..

Main-Yaani Abhi tere Jaane k baad 7 bandey or Uppar John bacha hai..

Uncle-Haan...

Main-OK Plan kya hai???

Uncle-Plan toh tu samjh he gaya hoga naa Kal??

Main-Haan lekin kya karoge uss time bomb kaise aaega??

Uncle- Woh sab mera kaam nahi hai jaisa maine bataaya humein bus apna kaam pata hota hai taaki ek pakkada bhi jaae toh woh caah kar bhi kuch naa bataa paae.. Lekin Bomb hoga crowd mein..Same time he hoga.. Mere alaawa 2 bandey hain Jo isme shaamil hain jo bomb plant karenge.

Main-Matlab multiple bombs honge..toh baaki log kya karenge bc??

Uncle-.. Humein nikalna bhi toh hai toh woh ussme lage honge Shayad..kyunki sabse important kaam wahi hai. John or Anssar keval tabaahi dekhenge..toh mere according se Hum 3 Bomb blast mein shaamil honge.. John or Anssar Dekhenge.. Baaki 3 humein wahaan se nikaalne kaa intejaam karenge.

Main-Ye Annsar kon hai ab bhenchod???

Uncle-Tumhe Annsar kaa nahi pata??? Itana sab karliya tumne or abtak Annsar kaa nahi pata tumhe??

Main-Nahi kon hai ye??

Uncle - John kaa chota bhai hai woh... aajtak kissi ne nahi dekha ussko yahaan takk ki maine bhi nahi lekin hai woh humaare sath he or John jo bataata hai uss hissab se woh John se bhi khatarnaak hai aadhe se jyaada plans woh khud akela baithke banaata hai.. John se bada shanki hai or bahot he jyaada khatarnaak agar John or Annsar tumhaare saamne hon toh pehle Annsar ko maarna.. Kyunki 1% chance hain John fir mill jaaega lekin Anssar ek Ghost hai woh nahi millega.. Woh aata hai tabaahi machaata hai or gayab hojaata hai..

Holy fucking shit yahi wait kar raha tha main ki John kaa right hand yaa left hand kon hoga koi toh hai jiske dum par John mere sath itane attitude mein baat karta hai kyunki bandey toh usse daily Marr rahe hain toh unke basis par woh mereko dhamaka nahi shakta tha matlab ye Annsar hai uska ghamand.. Ok ok I see..

Uncle - Whisky??

Main-No thanks tu lele..

Woh khadda hua ek shelf ki taraf gaya..

Main-Haan ye hath uppar he rakhna jyaada shyaanpatti nahi.

Ussne ek hath se ek bottle nikaali niche glass or side mein ek ice cube kaa bowl rakha tha usme se ice cube daali or apna procedure chaalu kiya..

Main-Toh Tumlog Indian Economy ko khatam kardena caahtey ho..

Uncle - Khatam nahi hogi India bahot bada desh hai, lekin agle 6-8 saalon takk jo tabaahi hogi woh dekhne laayak hogi humein kuch karne ki jarurat bhi nahi hogi AP or log khud baa khud marrenge.. Ye hai John kaa master plan Jaane k baad bhi tabaahi dekhega woh..

Main-Ye Annsar kaisa dikhta hai... John ne bataaya kuch.

Uncle-John humeesa kehta hai ki Usse dekhtey he pehchaan jaaoge... 6"6 feet se uncha kadd.. Untt (camel) jaisa sareer..laal aankhein...mout ka paigaam dene waale hath....

Main-Or John???

Uncle - John...

Ye bolke woh mudda jhatke se chaaku tha uske hath mein or woh fainkney waala Tha ab decision lena tha bhenchod maarna padega isko.. Maine split second mein decision liya or ussne chaaku fainka He tha ki meri goli chal gayi goli lagi uski khopdi mein or jo chaaku ussne fainkna tha woh utani power se nahi faink paaya or woh mujhtakk pohanch he nahi paaya..

Fuck.. Smart tha ye itani information de gaya ki isse pata tha iske baad iska pariwar safe hai or ye jinda raha toh or information deni padegi abhi tak issne information di woh kaam ki thi lekin aage jo dene waala Tha woh or jyaada kaam ki thi issliye isko malum tha chaaku nahi pohanch paaega mujhtakk or ye Marr jaaega still isne try kiya taaki main maardun isko... Lekin kaafi information degaya tha.. Mera kaam easy tha ab.. 8 bandey baaki they lekin main 2 they Anssar important tha mujhe lag he raha tha koi toh hai John k sath jiski wajah se woh attitude hai usme ab John jaise bandey ko uspar ghamand hai toh woh cheej gajab he hoga.. Maja aaega matlab.

Khair uske baad maine Anjali ko call kiya or usse bulaa liya scene clear karwaadiya same old story mujhe shakk tha main iske pass aaya or aatey he issne attack kiya maine goli maar di.. John ko pakka yakeen hoga ki issne mujhe kuch nahi bataya hai...Main ghar aaya puri team ko scene samjhaaya maine toh new strategies decide hone lagi ab easy tha John k plan ko roukkana lekin John ko pakkadne kaa mere pass still koi plan nahi tha.. Uppar se new musibat ye Anssar aagaya tha.. Hmmm.. Ek baar uska plan toh rokkun baaki baadmein dekhunga..

Anssar 100% serial killer nahi hai lekin ek criminal mastermind hai issliye usko dhund shakta hun main issliye maine uska naam and details Chang k pass bheje or usko lagaaya iss kaam par ki dhundey ye kon hai kyunki ye keval serial killer hota toh itana jyaada hawa nahi hota iska.. Matlab ye alag he cheej hai..

Aaj kaa pura din strategies or locations mein gaya ki kon kahaan hoga. Literally puri Team sablog dopehar se raat 12.30 takk lage they maps wagairaah Sab mark kar liye gaye...Uske baad thodi bahot nind li.. Subah time se he uthey aaj kaa day last day tha mele se pehle.. Kal Mela tha issliye Main, Pooja or Priyanka Online lage they ghar baithey sab kuch plan kar rahe they or baaki puri team Mele ki location par thi.. Din mein sablog apni apni jagah lage they shyaam ko hum sab mille garage mein.. Main, Bhai, Ami, Mangal, Sam, Ravi, Abeer, Anjali, Deepak, Rajat, Ajay, Pooja, Jiya, Priyanka, Rishi, Jack, and Vinny and Abhi abhi aae they FIA waale sab yelog subah se abhi tak Mela Ground mein he they..

Main-So guys itane din se jo hum kuttey ki tarah lage hain kal uska exam hai or uss exam mein humein naa he keval pass hona hai balki full marks lene hain..Bomb ki timing maalum Hai humein lekin still kabhi bhi kuch bhi ho shakta Hai.. Hum 21 hain inmein se 3 Ko hataado kyunki bhai or Rishi crowd mein rahenge or main Thehra organizing team mein issliye main sabse alag rahunga mainly stage par.. Hum sablog rahenge Bluetooth se connected.. bache tumlog 18, 4 teams hongi First Abeer ki team Jisme Ravi, Ami or Deepak honge.. 2nd team Anjali ki team isme Jiya Nazia or Ajay honge.. 3rd Team Mangal ki jisme Abdul Sam or Rajat bhai honge.. 4th team Javed bhai ki team jisme Jamaal or Jack honge... Ye 3 he honge kyunki inka area itana crowded nahi hai.. Ab Vinny hoga Sniper team k sath snipers mele k chaaron taraf mojjud in 5 buildings par honge or harr second 4on teams par najar rakhenge or humaare sath Bluetooth se connected rahenge.. Ab Bachi Priyanka or Pooja ye dono yahaan hongi Mele k stage k side mein ye jo building hai isme ek room hai jahaan tumhaare sab equipments pohanch jaaenge.. Harr cctv par police toh najar rakhegi he tum alag se rakhoge or harr second Police head control se contact mein rahogi tum dono.. Sath sath humaari teesri aankh hogi tum.. Abeer ki team failli hogi gate number 1 se leke gate number 2 takk...Anjali ki team faili hogi gate number 2 se fir gate number 3 takk.. Mangal ki team hogi fir gate number 3 se gate number 4 takk.. Or javed bhai ki team hogi gate number 4 k uppar yaani last gate k uppar.. Suspected banda jo bhi dikhe usse parkho or kuch gadbad lage toh custody mein lo even thok bhi do.. Sablog k pass silencers honge jitana ho shake public utani kam disturb honi caahiye.. Samjhe...??

Sab-Yess boss..

Main-Bhai mereko India k top bomb squads caahiye subah hotey he standby par..

Deva-Hojaaega...

Main-Dekho bhidulog jyaada bhaashan nahi dunga lekin aajtak jitani mehnat humne ki hai itani he bus Kal or kardena baaki sab main sambhaal lunga bus tumhaara support caahiye.. Hajaaron jindagiyaan humaare uppar depend karti hain.. Uske alaawa India kaa future humpar depend karta hai.. Bahot kand hojaaenge agar John successful hua toh..

Deva-Humlog tere sath hain they or rahenge..tu chinta naa kar..

Anjali-Yes boss you got it Ride or die..

Abeer-Jo Mela ground k andar Rehne waale hain un sab ki verification personally kari hai humlogon ne woh sablog clear hain so jo aaega woh bahaar se he aaega...

Main-Hell yeah..

Continued..
 

Update-255(The Big Bad News)



Uske baad Deva Bhai or Javed miyan ne bhaashan diya sabko pump kardiya ek dum rongtey khadey hogaye.. Belive me uss raat hum mein se koi nahi soya ek second bhi nahi, sab jaag rahe they kar kuch nahi rahe they bus soch mein they sab.. Kal bahot bada din tha literally pichle najaane kitane dinon se hum iske liye ready horahe they abtak harr musibat ka saamna datt kar kiya tha humne harr baar jeet humaari hui thi lekin agar Kal haar gaye toh woh puraani jeet koi matter nahi karti Kal hum sab k liye last day tha maano.. Sablog apne apne kone mein baithey they.. Ab mereko toh nind durr durr takk nahi aarahi thi issliye subah 4 baje he nahaa liya main or ready hua.. Dono deagles Lee silencers liye extra magazines Lee.. Dikkat ye thi ki mere pass bullet proof vest nahi thi kyunki main public k bich rehney waala Tha Khaas kar Stage par, logon ko Dikhna nahi caahiye kya horaha hai lekin mujhe itana yakeen toh tha ki John k aadmi caahe kitane he niche chale jaaein lekin Gun kaa use nahi karenge.. Agar woh log guns kaa use kartey toh aaja Atleast humaare 4-5 members uppar pohanch chuke hotey yaa nahi toh scene alag he hota..

Koshish yahi rahegi ki logon ko andaaja he nahi hone diya jaaye ki kya horaha hai.. Or main nikal he raha tha room se ki mera phone baja.. Private number bhenchod John maadarchod ye bhi nahi soya lagta hai..

John-Matlab tum bhi nahi soye aaj raat..

Main-Nahi actually main plan kar raha tha ki jab tu mere saamne aaega tab tereko kaise maarunga main..

John-Hahaha you can't find me AP...

Main-Ye woh Keh raha hai jissne mujhe face to face dekha bhi nahi hai..

John-Oh i have seen you face to face AP in broad Light I have seen you up close..

Main-Yeah keep telling yourself this I'll see you Soon RJ and I'll have some quality time with you..

John-Best of luck AP..

Main-Best of Luck RJ..

Continued..

Best of luck bhenchod board exams dene jaarahe hain humlog.. This is war time baby...

Main ready hoke niche aaya toh sablog coffee wagairaah pee rahe they..

Babhi-Tu abhi nikal raha hai..?

Main-Haan.. Listen aap or Meenu Mele mein nahi aarahe ho..

Babhi-Wait what??

Main-Haan.. Yahaan saare guards honge iss bich naa toh aap apne room se bahaar kadam rakhengi or naa he koi andar kadam rakhega bahaar shyaam kaka hain unko call karo jo caahiye woh deke jaaenge.. Unke alaawa CM ho yaa PM koi andar nahi aaega..

Babhi-Wait a minute.. Main kyun nahi aarahi hun??

Main-I can't risk it..

Babhi-Tumlog bhi toh jaarahe ho..

Main-Haan humaari majburi hai aapko ghar he rukkna hai... Aaj over hojaaega ye sab Kal chale Jaana caahe I don't care.. Aaj live dekho tv par..

Babhi-AP this is not fair..

Main-I don't have time babhi I said it and it's final.. Main aapki koi baat nahi taalta same aap karo..

Babhi-AP please.. I was waiting for this for forever.. Please.. Sab guards ko sath lejaaungi main caahe..

Main-Bhai ghurr kya rahe ho say something..

Babhi-Unse baat hogayi hai..

Main-You guys are crazy ye nahi hone waala no way..

Babhi-Please..

Main-Hell No..

Babhi - AP please listen to me you know I am crazy for this Mela from childhood.. You know that I need to go...

Main-Fine.. Babhi you are so stubborn.. Jack tu team chhod guards k sath babhi k pass rahega koi pair chhune takk pass nahi aana caahiye..

Jack-Ji boss..

Babhi-Thank-you..

Ye bol babhi ne mereko hug kiya.. Actually babhi kaa wahan Jaana galat tha lekin security ki guarantee toh main yahaan bhi nahi de shakta tha or uppar se babhi maananey waali thi nahi chuppkar pohanch jaaengi..

Babhi-Yele coffee..

Main-Naa mereko nikalna hai Abeer tu bhi jaldi pohanch first team then second team nikalo apne apne area k police waalon se millo unka scene jaanlo..

Abeer-OK boss..

Main Bahaar aaya Maserati ready thi my war Vehicle.. Main gaadi mein baitha or nikal gaya or 5 baje main location par pohanch gaya toh wahaan k shopkeeper stall owners, rides bhi thi kaafi saari ferris wheel tha bhenchod ek toh bahot bada ferris wheel bole toh bada saa chakkar hota hai jo ghumta hai log baithtey hain usme.. Uske alaawa kaafi games or rides thi.. Stage almost ready tha fully decorated.. Chairs wagairaah or uppar se tent lag gaya tha baaki khadey hone ki jagah alag se thi.. Gaadiyaan allowed nahi thi andar lekin main andar challa raha tha kyunki bc main paidal challunga toh jaldi thakk jaaunga meri ribs injury ki wajah se.. Issliye main gaadi mein he ghum raha tha Pure ground mein.. Actually 6 acres mein tha ye sab.. Lekin main part 3 - 3.5 acre mein he tha.. 4 gates they in and out.. Side mein ek management building bhi thi Ground k andar he jahaan se cctvs wagairaah control hone waale they... 7 baje takk main wahin ghum raha tha tab aaya mere pass Chang kaa call...

Chang-Boss 2 had news bahot badi badi woh bhi..

Main-Kya???

Chang-1st Annsar kaa pata chal gaya hai.. Woh HOD (Hounds Of Death) Kaa ex Hitman hai..

Ye sun maine gaadi ki break maari turant.. HOD yaad hai?? Death Contracts kaa jo sabse bada Group hai i mean Asia k sabse bade or khatarnaak trained killers hain usme ...Hitmans..Update 202 mein jaao for more information.. Basically HOD bahot badi film hai like bahot badi or usme bandey bhi bahot bhayaanak hotey hain..

Main-Hod mein what the fuck??? Maine aajtak nahi suna uskaa naam..

Chang-Kyunki woh HOD chhod chuka hai 10 saal pehle woh bhi..

Main-Oh my god no fucking way dude.. No way... Fuck me dude.. Chhoda yaa retire hua???

Chang-he left..

Ussne HOD chhoda matlab woh or bhi dangerous hai kyunnki yun he koi HOD nahi chhod shakta yaa toh aap retire hote hain yaa aapko maardiya jaata hai.. HOD chhodney k liye aapko koi toh bahot bada kand karna hota hai jo bahot khatarnaak hoga for sure.. Like kissi desh k President, PM wagairaah yaa koi bade VIP ko tapkaana yaa koi bade mafia gang ko khatam karna..

Main - Ok this is bad.. What's the second one..??

Chang-Hault ko League se protection mill gayi hai..

Main - What the fuck is happening bhenchod.. Ho kya raha hai.. Bhenchod majaak Banaa diya hai League or high command ne apna.. Kyun?? Kya logic hua isme..

Chang-League hates You or woh uske liye apne dushman ko bhi protection de shaktey hain..

Chang-Or Protection kissne di hai maalum??

Main-Kissne??

Chang--Adya... Aapki puraani dost..

Main-Oh my god.. Oh My fucking God.. Are you serious??

Chang-Yep.. Bhai League is Not a joke you know that right??

Main-Haan bc I know League waale kon hain.. Hault ko hold par rakhtey hain.. Kitani lambi protection di hai?? Uske baad thok denge...

Chang-Lifelong.

Main-No fucking way Adya uss chutiye k liye itana time waste karegi khudka or apne Bandon kaa.. Na naa I can't believe this..

Chang--Nahi karegi woh Actually woh millna chaahti hai aapse badle mein koi deal de shakti hai...

Main - Fuck that main nahi Millne waala gand marwaae Hault chuppa rehney de kabtak chuppa rahega.. Kabhi toh millega even 1.0 ko millega toh bhi gaya woh..

Chang-Hmm..

Main-Tu ye bata Annsar kaa koi photo bio kuch??

Chang-Kuch jyaada nahi lekin Norman k close logon mein se ek tha woh..

Main-Matlab gand faad dega woh..

Norman Bones actually HOD kaa leader hai or Kehtey hain, naa keval Asia balki world k top 3 Hitmans mein aata hai woh.. Woh bhi lagaataar kaafi saalon se like pichle 20+ saalon se.. Contunuesly.. Uske baap ne HOD banaaya tha.. Woh bandey ko aise maarta hai ki marrne k baad bhi pata nahi chalta ki kaise Marra banda.. He is Clean AF.. He is deadly..

So basically mereko 10 minutes mein bahot gand faad bad news mill gayi thi jo bahot buri baat thi.. Ab karna ye tha ki mereko pehle John kaa plan fail karna tha usko tapkaana tha then mera pura dhyaan Anssar par lagaana tha or tab he jaaunga main yahaan se..

Main gaadi se uttara or sutta maarne laga.. Abeer wagairaah aagaye they.. Log bhi ikka dukka aane lage they checking suru hogayi thi.. Brace yourself everyone we are almost there..

Continued..
 

Update-256(War And Chaos-1)



So scene ye tha ki saari teams apni apni position le chuki thi Abhi gang bhi aa chuki thi bhai dekho I know main Savage hun lekin maanana padega woh sab k sab bhenchod bhaari handsome lag rahe they stage par aag lagaa denge.. Anaa kaa toh pucho Matt bc durr se shining maar rahi thi mereko.. Log baag ghumne firne lage they location dekh rahe they Rides wagairaah shor Sharaaba suru hogaya tha jisme log busy horahe they bache apna alag swag mein ghum rahe they.. Function suru hone mein 1 ghanta baaki tha abhi toh lagaalo 2 ghantey they main act k liye or ab main lagne waala Tha bomb dhundane... Meri savagness dekho maine abhi takk bomb bhi naa dhunda tha or main side mein khadda hoke Sutta maar raha tha actually RJ smart tha ussne plant he nahi kiya yaa karwaaya tha abtak bomb. Karwaata toh dog squad yaa fir bomb squad dhund he letey usko.. . Yaani jo hoga live hoga.. Or mast baat bataaun main roukk lunga usko don't even worry..

Main ek side khadda Sutta peee raha tha ki kissi ne mereko piche se touch kiya main mudda toh bhenchod aankhein bahaar aane ko hogayi Saamne Sunaina khaddi thi i know woh aane waali thi lekin bhenchod kya maal lag rahi thi woh traditional saree mein oh my fucking God.. Main Galle Milla usase..

Main-What the fuck are you doing here this quick?? Abhi toh 40 minutes or baaki hain..

Sunai-I know main tumlog se milne aagayi pehle where is Abeer and Ami??

Main-bulaata hun...

Maine Bluetooth kaa button press kiya or Bola..

Main-Abeer Ami idhar aao toh stall number 13 par iss Clown game k left mein...

Abeer - Yo on the way..

Sunai-So what's the plan??

Main-Pretty much everything is happening live bus roukkana hai usko I know all the details..

Sunai-This is great then..

Abeer-Sunaina?? Oh my god..

Sunai-Hey guys..

Ami-oh baby things are getting spicy my babes is here..

Sunai-Hii...

Wohlog kaa Milan hua..

Sunai-By the way I don't know Chang ne tumhe bataaaya yaa nahi but...

Main-Haan bataaya or meri fatt jaaegi ye sab khatam kartey kartey..

Abeer-Kya hua??

Main-First Annsar HOD kaa ex hitman hai..

Abeer-What the fuck?? Wait a minute Annsar yaani jo RJ ka bhai hai??

Main-Yess..

Ami - No way.. Really..?

Main-Second League ne Hault ko protection dedi hai..

Abeer-Oh my god... Matlab aage gand marrne waali hai.. Bhai kyun??

Sunai-Kyunki League waale hates AP very much..

Abeer-Ye bhi hai Arch nemesis he hai tu unka.. Dushman seedha - 2..

Main-Adya ne di hai protection...

Ami-OK hault ko bhool jaatey hain matlab.. Yahi kehna caah rahe ho tum.. Or apna Saara dhyaan Aaj or fir Annsar k uppar lagaaein..

Main-Yes...

Ami-Or ye abhi bataa rahe ho tum..

Main-main disturb nahi karna caahta tha re aaj tumhe focus karo.. Chalo jaao Sunaina se baad mein mill lena.. Main stage ki side jaaraha Sunaina darling mille bina Jaana Nahi..

Sunai-Yep..

Main wahan se aaya stage ki taraf toh seedha sunlo bhidulog main nervous tha thoda bahot.. Issliye nahi ki main fail hua toh yelog marrenge.. Nahi mereko farak nahi padta tha hum caahein toh vips ko aane he naa dein normal log Marr jaaenge I don't give a fuck.. Lekin baat yahaan ab bahot aage chali gayi hai john ki team ek dum se bahot uppar chali gayi hai unhe chance nahi de shakta main or uppar se meri puri family yahaan mojjud hai.. Or uppar se bhenchod mere pass mera pura dimag nahi hai... Annsar agar yahaan hai toh bhi woh saamne nahi aaega 100% HOD waale shadows mein rehtey hain unki job he hoti hai to trick and fool people and they love to see destruction.. Or uske baad wohlog akele khelna passand kartey hain issliye woh nahi aaega aaj saamne agar yelog successful hue toh woh chup chaap nikal lega yahaan se agar ye log fail hue toh RJ kaa backup plan hoga woh baad k liye..

Main Stage par aaya wahaan Anaa thi..

Anaa-Hi AP.. Good Morning..

Main-Morning..

Anaa-Tum as a backup available hona??

Main-Haan kind of.. Mereko kuch kaam Hai actually kuch security issues hain unko dekhna hai mereko issliye mera Naam lena he nahi..

Anaa-Sure sab theek toh hai??

Main-Yeah yeah all good.. Bus same old stuff...

Anaa-Abhi Or Sneha Opening karenge uske baad Ashish or Arushi.. Then aaj ki closing mujhe karni hai or Kal half day main akeli he hun..

Main-You got this i trust you..

Anaa-I am Nervous..

Main-Don't be.. You'll be fine.. Just take deep breaths..

Anaa-I am trying..

Main - I'll be back..

Ye bol Main stage se niche aaya bhai aagaye they unko briefing di kya situation hai Snipers on point they teams apni - 2 location par thi.. Function suru hone he waala Tha vips aane lage they.. Budhau log kaa performance 3rd tha toh time kam he tha mere pass.. Main abhi Mele k bich mein khadda tha or itane sound mein mujhe bc kuch sujh bhi nahi raha tha boys i am really nervous now.. This is getting stupid mujhe nahi laga tha itani bheed hogi..

Bhenchod aisa kahaan lagaaega bomb ki impact hojaae itana.. Aisa kya karega?? Bc.. Think think kahaan hai aisi jagah.. Oh My fucking God.. Oh God.. Ye kyun nahi socha maine fuck.. Suicide bombers.. Bhenchod wohlog khudko udaa lenge sabke sath.. Phsyco hain woh they don't give a fuck. Oh god no.. Fuck.. Plant kahin kiya nahi ab kahin kar nahi shaktey sab open mein Hai toh kya bacha yahi Suicide bombing.. Oh god no fucking way..

Main-(Bluetooth par) Guys guys guys.. Listen wohlog plant nahi karenge bomb wohlog khud he bomb honge... I mean they are fucking suicide bombers... 2 log honge unki walk se he pata chal jaaega ki unke uppar weight hai yaa fir shirt k niche awkward shape dikh jaaega.. fail jaao fail jaao jaldi turant 10 minutes hain humaare pass. Jaldi go fucking go..

Sab-OK boss....

Bahaar se koi body par bomb lagaake aa nahi shakta security hai puri toh wohlog andar he lagaaenge. Tents waalon ki checking Kal hogayi thi.. Toh bache management waale yaani ye saamne jo building hai jisme technical staff hai Pooja or Priyanka bhi hain..Police waale bhi hain jo cctvs dekh rahe hain or lost and found department bhi.. Matlab yahaan se fit karenge apne uppar or kya jagah ho shakti hai harr kone kopche mein police yaa hum hain.. Toh andar he honge woh dono.. Main Bhaaga ye basically 2 floor ki building thi or 10-12 rooms they isme..

Main Bhaaga andar ground floor k rooms open they sab yaa khaali they.. Issliye main 1st floor par aaya seedhiyon se.. Rooms check karne laga toh bc wahaan bhi sab rooms open ya clear he they. Lekin wahaan kaa washroom bandh tha maine gate par knock kiya toh mere piche ek Uncle bole..

Uncle-Beta bahot derr se bandh hai pata nahi kya horaha hai andar.. Main first floor waale mein jaake aaya hun wahin jaa aao aap bhi yahaan wait karna bekaar hai.. Security ko bulaa lo toh behtar hai..

Main-kitani derr se bandh hai..

Uncle - 15-20 minutes toh hogaye honge main niche jaake fresh hoke bhi aagaya..

Main-OK thanks.. Main karta hun kuch..

Ye bol woh uncle wahaan se chala gaya. Gate koi bada nahi tha tutt Jaane waala Tha issliye maine maare dhakke 2nd dhakke mein gate ki kundi tutt gayi or sapaat khul gaya music chaalu ho chuka tha toh kissi ko lawda awaaj nahi aai hogi kya hua.. Gate todtey he main andar ghussa toh andar toilet cabins or 3 private washrooms they jinmein se ek kaa gate bandh tha gate bilkul chota sa tha steel wagairaah kaa.. I don't give a fuck kon hai andar kon nahi maine uss gate ko itani bhayankar laat maari ki woh gate ki kundi tutti or woh gate andar mojjud shaks k thobdey par laga bhenchod woh piche deewar se takraaya.. Ye ek tha.. Kyunki gate lagtey he iske hath se ek remote girra... Chota saa... Woh fir jukhha uthane k liye maine ek or laat di woh deewar se chipak gaya or fir pakkad ke hath usko bahaar faink k maara or remote ko maari laat... Woh meri taraf aaya toh maine di ek or laat uske pait mein toh uss laat kaa half part hard part par laga jo 100% bomb tha.. Issliye maine uppar k hisse ko target kiya or woh seedha ho paata usase pehle maine uchal k ek kick di uske munh par jisase woh piche toilet ki seat se laga jaake.. Ab ussne nikaala chaaku aage badha lekin maine fir di last usko... Khelne kaa time nahi tha mere pass issliye jaise he woh doobara aage badha maine deagle nikaali or uske chest mein goliyaan daal di 2 silencer tha toh awaaj takk naa hui.. Or awaaj lawda hogi bahaar itana loud music chal raha tha ki kissi ko lawda kuch nahi sunaai dega.. Woh girra niche lekin Marra nahi...

Main-Dusara kahaan hai??? Jaldi boll bhosdk ambulance standby par hai bachaa lunga..

Aadmi-hahahaha... Ttttujhe lagta hai mereko farak padega agar Marra toh..

Haan bhenchod main bhi chutiya hun ye banda khudko udaane waala Tha lawda isse farak padega bachaane se..

Aadmi - Woh nikal gaya hai usse nahi dhund paaega tuuuuuj....

Main-Chup maadarchod.. Ye bol maine ek goli daagi uski khopdi mein...

Main-(BT par) Guys one down mereko bomb squad caahiye maintenance building k first floor k washroom mein ek maardiya hai bomb on nahi hua hai ek baaki hai... Search fast.

Ye bol maine washroom kaa tutta gate joda or bahaar aaya.. Dusara kahaan hai think AP think.. Think.. Do something...fast..ek second ek second bhenchod ye jo uncle aaya tha ussne bola ki woh niche jaake fresh hoke aaya lekin niche k floor par toh koi washroom hai he nahi maadarchod ye iska sathi tha or isko time dilwaaraha tha set karne k liye.. Fuck.. Main niche ki taraf Bhaaga or bhaagtey bhaagtey Bluetooth par bola...

Main-50 - 52 kaa uncle hai ek white plane kurta or niche blue formal pant pehni hai baal safed hain jaldi dhundo.. Time kam he baaki hai fast bhenchod fast..

Mere rongtey khadey hogaye they seedhiyon se niche uttartey time meri ribs ki double gand Marr gayi thi.. Bhenchod lekin rukkaney kaa time nahi tha... Main seedha bahaar aaya or vip section mein ghuss gaya.. Lekin yahaan koi tha nahi sablog baithey dikh rahe they mereko yahaan.. Maine najar ghumaai bhenchod bheed mein kuch naa dikha..dikha... Woh raha...

Woh banda bheed mein se ghussne ki koshish kar raha tha taaki piche se aaye toh bomb ka impact vips par toh paddey he sath sath bheed mein bhi log marein.. Main uske piche aaya kissi ko ghanta farak nahi tha bhenchod ki kya horaha sab saamne naach rahi aunties k sath naachne mein busy they.... Yahaan maar bhi nahi shakta tha isko.. Main just uske piche gaya or piche se uske dono hath uske armpits k niche se lejaake uski khopdi k piche daal liye.. Bhenchod hill takk nahi paaya.. Or usko ghasitane laga main piche ki taraf... Woh fad fadaaya lekin aise thodi chhod dunga bhosdk...isme bheed waale bole ab ek do... "k kare hai rai londey." k kardiya iss tau nai"...

Main-(chilaake) aage dekh teri Maa ki chut maadarchod..

Ye sun Woh aadmi itana jaldi aage ghuma maano ussne piche kabhi dekha he naa ho.. Main usko ghaseettey hue bahaar le aayaa bheed se.... woh naakhun maarta raha ladkiyon waali harkaton par aagaye they ab John k aadmi... Aise nahi chodunga beta isase hajaar gunna jyaada pain Saha hai.. Main usko ek side le aaya bilkul log dekh rahe they lekin koi piche nahi aaya.. Ek aadh aage aaye tab Anjali or uski team aagayi..

Main-Bheed ko side kar isko hataa... bhosdk durr hatt police..

Anjali-Piche.. Uncle piche... Durrr nikal.. Hath uppar or Bhaag jaa..

Ajay-Oye londey likad le jaldi.. Banduk hai yaa goli laag gi toh hugg bhi koni paaega..

Wohlog bheed mein lage or main usko bilkul ek tent k piche le aaya...

Aadmi - Bachega nahi tu tujhe kya lagta hai bachega, bilkul nahi.

Main-Dekhlenge.

Ye bol maine usse jhatke se faink k maara side mein or jaise he woh girra maine bina ek second waste kiye uski khopdi mein goli daag di.. Bhenchod chance toh dena he nahi hai kya pata kahaan se button press kar dey.

Main-(Bt par) Dono suspects down i think we are clear good job guuu....

Ek second ek second total 8 bandey they John or Annsar ko milaake.. 2 down yaani 6 bandey bache baaki 6 kahaan hain??... Suna nahi kal uss uncle ne kya kahaa tha Woh yahaan se nikalney ka intejaam kar rahe honge inka..

Kinka intejaam bhosdk ye suicide bombers they Inki bodies nikaalenge yahaan se?? Or John Annsar ko kissi ne dekha nahi hai toh woh toh kaise bhi nikal shaktey hain..

Holy fuck matlab baaki bhi yahin hain.. Fuck..

Continued...
 

Update-257(Red John Is Here)



Bhenchod Soch AP soch kahaan kya kaise miss kardiya bhosdk soch.. Kon ho shaktey hain 2 minutes baaki hain.. Jaldi soch soch... Ek second ek second flashback.. Flashback.. Oh my god.. Ye kaise bhool gaya AP yaad kar tujhe kaise pata chala tha ki John Mele mein attack karega..

Simple John ne unhe marwaaya tha jinka connection Mele se tha, wohlog kuch naa kuch karne waale they mele mein.

Toh bhosdk wohlog toh Marr gaye ab unki jagah bhi toh koi lega naa..

Oh my fucking God ye kaise skip kargaya bhenchod John ne unhe keval issliye marwaaya taaki unke marrne k baad unki jagah par John k Bandon ko Mele mein easily entry miljaae kyunki waise toh stalls yaa mele mein shop yaa camp wagairaah lagaane kaa permit ek year pehle lena padta hai or bahot saare log apply kartey hain toh millna muskil hota hai kaafi, lekin agar koi hatt jaae toh uski jagah easily mill jaati hai holy fuck.. Kon kon tha..?
Sabse pehle School waala kand jo principal Marra tha uss school k bache perform karne waale they yaani jo naya principal yaa staff kaa banda hai woh John kaa banda hai..

Then ek doctor jo Free health camp lagaane waala Tha matlab uski jagah jo bhi hai woh John kaa banda hai.

Then woh Producer tha jo Play organize kar raha tha woh Marra toh uski jagah jo naya producer aaya hoga woh John kaa aadmi hoga..

Then Jo announcer hai woh Marra tha jiska case maine dekha nahi tha Yaani jo Abhi gang k alaawa senior announcer filhaal hai jo Abhi gang ko dekh raha hai woh John kaa aadmi hai..

Agar announcer nahi toh fir Then ek technician marra tha uska replacement woh John kaa aadmi hai..

Ye hogaye 5 lekin inmein se 4 he millenge kyunki John or Anssar toh dekh rahe honge inmein se kon 4 ho shaktey hain Doctor Principal or Producer toh confirm hain Kyunki yelog best jagah par honge yaani crowd mein.. Announcer yaa technicians mein se ek hai.. Fuck let's go..

Main-(Bt Par chilaake) Bandey bache hain Abhi yahaan medical camp konse number shop mein laga hai woh doctor ko roukko asap...

Abeer-Meri side hai shop number 43 tere just saamne hun main apne left mein Hai woh..

Main - Bhaag bhosdk...

Main or Abeer bhaage left side mein piche piche Anjali or baaki bhaage...

Saamne medical camp laga tha ek doctor tha or 2 male nurses 100% doctor he hai kyunki nurse 24-26 age k they.. doctor ki same wahi age thi 50-52 waali... Kaafi bheed lagi thi main seedha uski table k uppar se uss doctor k saamne kudda or uske munh par deagle taan di..

Wahaan mojjud sabki gand fatt gayi woh doctor bhi patient k sath laga tha toh uski fattke hath mein aagayi...

Main-Hath hatta hath durr kar bhosdk...

Aadmi-(hahahaha) hahahaha hah...

Main react kar paata itani derr mein ussne ek injection maara mere hath par or kuch toh bhi inject kardiya mere andar... Maine usko piche push kiya...

Aadmi-hahahaha ab nahi bachpaaega AP teri body mein Virus inject kardiya Hai... In sab k sath tu bhi marega teri blood cells gayi samjhle.. Hahahaha... Yahin marega hahahaha..

OH my god virus ye kaise bhool gaya main ye bhi toh mass killing kar shakta Hai easily lekin mereko dikkat nahi thi..

Main-(Hanske) Meri body par virus effect nahi kartey so the joke is on you bitch.. Main zehar se naa marrun tu virus k liye rota hai..

Ye sun uska chehra bigad gaya maano gand fatt gayi ho.. Thats AP for you bitch.. Abeer ne daboch liya usse..

Main-Oye nurse kiss kiss kaa ilaaj hua hai yahaan??

Nurse- w. W. Woh ye 4 aunties kaa or andar 12 log blood donate kar rahe hain..

Main - Or kissi kaa nahi hua naa??

Nurse - Ji nahi..

Main-Anjali Ambulance andar bulaalo yahaan se sabko uthaao or separate treatment karo Inko bandh karke rakho virus wagairaah kuch hua hai fast...

Anjali-Already aaachuki hain 4 ambulance AP..

Main-Koi risk nahi lena hai fail gaya toh lawde lag jaaenge.

Abeer usko piche legaya kone mein tent k.. Main wahaan gaya..

Main-Baaki kahaan hain bhosdk..

Aadmi-Hahahaha..

Main-teri Maa ki chut...

Ye bol uski khopdi mein goli daag di maine uske khoon k chintey Abeer ko bhi lage..

Abeer-What the fuck bc bolta toh..

Main-Ek second iska kaan dekh toh..

Abeer-BT device haibe..

Main-Nikaal nikaal..

Maine woh choti si Bluetooth device nikaali waisi he device ussi type ki jisase humlog connected they.. Matlab ye log bhi aapas mein connected hain..

Abeer-Unhone suna toh nahi hoga naa..?

Main-Nahi ye push karna padta hai bolne k liye.. Jaise apna hai..

Maine woh earpiece daali kaan mein apni nikaali.. Toh turant he awaaj aagayi usme.. Koi aadmi tha..

Aadmi - Arham k camp mein ambulance or Police wagairaah hain kya hua??

Aadmi2- Arey ashar suru hogaya hoga virus kaa tumlog dhyaan Matt do apna dekho.. Ye gaana khatam hotey he uthna hai tum dono ko..

Aadmi-Taiyaar hain..

Uthna hai matlab ye crowd mein baithey Hain yaani woh principal or Producer.. .. Wohlog toh bhenchod VIps mein baithey honge..

Main-Suno John ne keval unhe maara tha jinka replacement uske bandey kar shakein... Ek Woh Producer or ek woh naya principal ye do john k aadmi confirm hain.. Inko dhundana hai VIPs mein baithey hain ye..

Anjali-Mere pass list hai vip guests ki.. Isme dekhne de..

Main-Ye page mereko de.. Ye abeer tu dekh.

3 pages mein tha woh saari team wahaan aa aagayi thi..

Main-Principal ye raha first row Chair number 13...

Abeer-bhenchod ye toh bhai k aas pass he hai bhai 1st par hain.. Or Rishi 2nd par..

Mangal-Babhi or Meenu 10 or 11 par hain..

Anjali-Producer row 2nd Seat number 29...

Main-Matlab ye log aage piche he baithey hain double impact matlab holy fuck lets go.. Gaana khatam hone waala hai..

Abeer-Run run...

Main-(bhaagtey-2)Ajay tum 3no technician or uski team ko custody mein lo thoda saa hillein bhi toh direct goli maardo..

Abeer-Tu or Anjali Principal ko lo hum Producer ko dekhtey hain..

Main-Hillney naa dena... Seedha shoot..

Humlog gand faad bhaagte hue stage k saamne aae... Gaana end ho he raha tha..

Main seedha puri crowd k saamne se bhaagta hua first row seat number 13 k pass aaya..

Babhi-AP.. All good..

Main-Hath uppar chicha hillna nahi warna crowd k saamne goli maarunga...

Principal-excuse me whats the issue here..??

Main-Hath uppar put your fucking hands up..

Princ-What is happening..?

Bhenchod galat banda toh nahi hai kahin iski jagah woh technician yaa announcer ho... Lekin woh Hilla uski body par kuch toh tha bhenchod... Or hiltey he maine maari usko laat woh kursi samett piche jaa girra or Turant uske left hand par anjali kudi or right par main... Aage waali line puri khaddi hogayi..

Main-Jack babhi ko leke nikal turant side mein.

Jack-Ji..

Deva-AP??

Main-We got them bhai fucking got them..

Piche Abeer or Mangal ne uss producer ko bhi uthaa liya tha or dono hath pakkadey they uske aise maano usko faad denge bich se.. Log khadey hone lage they.. Meri jagah Deepak ne uska hath pakkada or main bhaagke stage par chadda jahaan music rukk chuka tha or stage khaali tha.. Main bhaagke Mike k pass aaya...

Main-Aaram se bhaiyo aaram se kuch dikkat naa Hai security ki problem hai thodi sab theek hai let the show continue..baith jaao sab theek hai...

Ye bol main piche ki taraf aaya jahaan Abhi or Ashish khadey they..

Main-Bhosdk Jaake continue karo..

Abhi-Arey announcer announce karega woh piche hai...

Main-Kahaan??

Abhi-piche..

Main-Tu sambhaal tabtak..

Abhi-OK..

Ye suntey he main Bhaaga piche ki taraf bhenchod stage par nahi hai itani badi event mein stage khali chhod diya yahi hai..

Ajay-(Bluetooth par) Bhai technician or uski team clear hai..

Main-Haan Haan milgaya last banda mereko stage k piche announcer hai.. Jaldi aao..

Plan sahi tha gaana end hotey he woh jo 2 bandey suru mein marre they wohlog pehle blast karne waale they issiliye wohlog VIps mein nahi they bheed mein they jabki unka plan VIps ko maarne kaa tha lekin VIps k liye ye producer or principal they woh 2 toh bus jo pass tha usko maarne waale they.. Or fir gaana end hotey he ye Announcer stage par aane waala Tha as planned or ye kuch toh bhi karne waala tha yaani timing itani gajab thi inki..

Main bhaagke piche aaya stage k jahaan Anaa Or baaki abhi gang thi.. Main gun taane andar ghussa..

Anaa-AP..?

Main-Woh announcer kahaan hai..

"yahaan"...

Ye awaaj mere piche se aai or jaise he main mudda meri piche se meri khopdi mein kuch toh bhi laga jisase main niche girra or mere hath se gunn chutt gayi... Ispar Anaa chilaai.. Lekin main turant khadda hua woh announcer ek bag leke Bhaag raha tha... Maine piche laat maari usko jisase woh bag niche girra or maine bag uthaake ek side ludkaa diya.. Woh khadda hua hath mein rod liye..

Main-Hello there.. Wassup bitch.. Shyaanpatti nahi dekh tere saare sathi pakkadey yaa maare gaye hain tu last hai or tere pass option nahi hai.. Surrender kardey warna thok dunga...

Aadmi-Jab Jaana he hai toh lets go fighting..

Main-Matlab samjhoge nahi tumlog.

Anaa-AP what is happening..

Aadmi-oho ho teri friends hain kya yelog.. Too bad tujhe maarke main in sabko bhi maarunga..

Main-Tu hath he lagaa dey Inko.. Anaa back up piche hatto sablog..

Woh rod leke aage badha mereko maarna caaha main niche jukhaa fir maari usne main piche hatta or abki baar jaise he ussne maari maine rod he pakkad le or jhatke se ussko apni taraf khicha or jaise he woh mere close aaya maine diya uske thobdey par punch uski pakkad rod se dheeli hui or maine jhatke se woh rod cheen Lee.. Mere sirr se khoon behraha tha.. Meri ribs Dard kar rahi thi.. Lekin ye fight end ho shakti thi saari bakchodi ki kyunki John khud kuch bhi nahi karne waala Tha... Woh ye sab tabaahi aaram se dekhega I know addiction kya cheej hoti hai or RJ or mujhe same addiction hai..

Anaa-AP watch out..

Main aisa khoya tha ki ussne mereko punch maardiya jisase main piche ko girr gaya or main uthaa toh uske hath mein chaaku tha or woh waar karne ko taiyaar tha bhenchod hadbadi mein main puri tarah bach bhi naaa paaya or woh chaaku mere left shoulder se leke niche takk cut kargaya ispar Anaa chilaai sathmein baaki Ladkiyaan bhi.. Focus bitch focus..

Woh fir aaya lekin uske aane se pehle main uchala or ek flying kick di theek uske jabdey k uppar woh bokhla gaya or force se piche deewar se takraake niche girra or girrtey he maine agli laat di uske munh par uska Saara jabda hilgaya uske hath se chaaku uthaaya maine or woh mereko push karke khadda hua.. Lekin khadde hotey he maine ghonp diya chaaku uske pait mein woh jhatke k sath niche girra chaaku andar he chhod diya maine or woh niche padda padda vibrate hone laga jiss wajah se maine jhatke se chaaku nikaala or "Thapp" se waapis ghonp diya uski bachi kuchi Jaan Bhi nikal gayi wahin k wahin...

Main khadda hua bc mere jo stitches they woh bhi open hogaye they or uppar se chaaku laga tha abhi.. meri white shirt laal hogayi thi meri khopdi se khoon beh raha tha ektak..ab bacha tha John or Annsar... Unhe kaise dhundun?? No idea bhenchod... It's time to tell public the truth.. John ko bait karne kaa time aagaya tha I know main jeet gaya tha jaise maine kahaa waise lekin John baaki tha Annsar baaki tha..

Issliye main stage par aaya langdaatey hue..Abeer or Mangal aarahe they uppar meri help k liye..Abhi or Ashish ne mike sambhaala tha.. Lekin ab meri baari thi public ko address karne ki..

Issliye jaise he main aage aaya meri haalat dekh k crowd mein khussar phussar suru hogayi... Log baag apni apni seats par khadde hogaye Wahaan bahot log mojjud they kaafi states k CM other ministers bade bade businessmans woh sab k sab khadey hogaye they sab.. Even live telecast PM or president bhi dekh rahe they.. Piche puri bheed stalls rides chhodke Stage par najar jamaake khaddi hogayi thi..

Main stage par aaya or Abhi se Mike liya..

Ashish - Theek hai tu??

Main-All good.. 5 minutes caahiye mereko..

Ashish-sure..

Main-hello Hello Mike testing.. All good.. So Bhaiyo or behno meri ye haalat dekh k chownkiye Matt balki aap sab ko toh khuss hona caahiye.. Bhaiyo kuch Maheeney pehle yahaan ek shaks aaya tha jisko Hum Red John k naam se jaantey hain ussne kya kiya hai kya nahi sab ko pata hai.. Or wahi sab woh yahaan karne aaya tha lekin woh kehtey haina Hum Haryana waale hain Humein toh Musibatein "Ram Ram Tau" bolke jaati hain..ab woh aaya tha yahaan apne napaak iraadey pure karne usske sathiyon ne kaafi logon ko maara lekin humne sath sath uske sathiyon ko bhi maara yaani hum suru se he jitatey aarahe hain..

Wahaan mojjud ek bacha bhi chu nahi kar raha tha bhenchod sab rides games sab rukk gaye they ye tha tumhaare bhai kaa swag.. Caahe saamne walaa ganwaar ho lekin chup chaap sun raha tha.

Main-Hum jeet toh rahe they Lekin John kaa plan alag tha bada tha yun lagaalo woh humein khatam kardena caahta tha humein apne ghutano par laa dena caahta tha jiske liye ussne Aaj yaani Iss Mele mein bomb blast karne kaa plan banaaya tha..

Ab suru hui khussar phussar.. Log bokhlaae. Issliye main turant chilaaya...

Main-Rukiye rukiye chinta Matt kijiye uske jitane bhi bandey they woh sab pakkad gaye hain yaa maardiye gaye hain woh jo 2 dikh rahe haina woh 2 bache hain. Inka plan tha aaj blast karke hum sabko kaafi saal piche dhakel dene kaa lekin woh haryanvi mein kehtey haina "Nyu Kukar kardega" bus wahi huwa aap sabke ashirwaad se sab sahi hua ek ek ko pakkad liya or ab pata hai kya bacha hai??? Woh John bacha hai akela woh kuch nahi kar shakta abhi usko tod diya hai humne andar se usse laga tha woh humein humaare ghutano par laa dega aji ghanta hum Haryana waalon ko toh angrejj takk ghutano par naa laa paae.. "" Sir katwaa lewaange niche koni karaan". Ye humaara moto tha hai or rahega... Ab mujhe pata hai ki woh yahin kahin hai lekin bechaara kar kuch nahi shakta kahin kaa nahi chhoda usko humne Paagal kutte ki tarah ghum raha hoga yahaan woh lekin kar kuch nahi paaega.. John ye John woh aji ghanta hum Jat hain faad k nikal jaatey hain.. Toh Bhaiyo last baat yahi kahunga aap sabne humessa meri family kaa support kiya hai or aaj wahi support rang laaya hai hum jeet gaye...hum jeet gaye.. John khatam hua uska tandav khatam hua.. Koi bhi kabhi bhi kahin bhi ghumein kissi k baap mein dum nahi humein Darra dey.. Jai Bharat Jai Haryana Jai Bhartiya Lok Dal(Humaari Party kaa naam)..

Ye suntey he logon k chilaane ki awaaj aane lagi.. Humaari party ki jai bhai ki jai meri jai jaikaar hone lagi log baawle hogaye ye darshaata tha ki John ne beshak abhi tak jyaada kuch naa Kiya ho lekin in sab ki jindagi par kitana effect tha uska.. Log bc bahaar nikalne se darrne lage they... Khair main Teer chalaake side hatt gaya John ko kaise dhundun think AP think... Kya hint diya tha ussne kuch toh diya tha kya diya tha.. Yaad kar..

Ussne kaha tha " Oh i have seen you face to face AP in broad Light I have seen you up close.."...

Aisa kon hogaya jissne mujhe Upclose dekha hai in broad light.. Think AP think.. Itane toh logon se bhi naa milta tu.. Got Him Fucking Got him... Oh my god main kitana chutiya tha bhenchod... Oh my god fuck dude fuck.. Hahahahahha..

Tau Jo Milla tha jiski bike Lee thi woh John tha.. Oh my god.. Ussne dekha tha broad light mein mera face up close kyunki apni torch maari thi mere thobdey par ussne or ab dusara scene clear hua ussne kahaa Animals se rakhwaali kar raha hai khet ki lekin Pehli baat wahaan aas pass keval khaali jameen thi Dusari baat Awaara Pashu (animals) haryana mein bache he nahi hain specially uss area mein kyunki bhai ne election se pehle sabse pehla promise yahi kiya tha ki sab awaara pashuon kaa bandobast kiya jaaega taaki kishaan ko dukhi naa hona pade... Ye ab yaad aaraha hai jab scene clear hua uss time bhenchod kissne socha hoga.. Woh just mere saamne tha 5 inch durr woh mujhe main usse koi bhi ek dusare ko maar shakta tha uske pass bhi chance tha i mean jaruri nahi successful hota woh lekin chance tha Uske pass.. Fuck bc... He was just in front of me and he tricked me.. He is a fucking genius bhenchod woh insane hai woh gajab hai.. Itana risk still ussne apne mann ki kari I love it I fucking love and respect it ye baat main humessa yaad rakhunga..

Abhi k liye mereko RJ ko dhundana tha itane log bc inmein kaise.. Fuck.. Mind ban jaa computer.. Fuck banjaa.... I need your help badly...

Continued....
 

Update-258(Rest In Peace RJ)



Mera Mind high speed par logon k chehre process karne laga.. Maano face verification software chal raha ho lekin still log jyaada they kam karna padega. ... John kya karega??? John hates people toh woh bheed mein nahi hoga.. He can't stand children toh woh Rides k pass bhi nahi hoga... Police wagairaah se durr hoga woh. Toh Aisi kon si jagah bachi jahaan se woh mujhe dekh bhi paae or bheed police or bachon se durr rahe.. Ab search kaa area chota hogaya tha bahaar koi jaa nahi shakta tha chupega John hai nahi woh khulle mein khadda hoga bus dhundane ki derr hai.. Oh my god kahaan... Kahaan..

Main khopadi double speed se ghuma raha tha.. Search search search...

Who is that?? Is that him?? It is him... Woh raha.. Mereko woh tau dikha I mean John dikha tip top haryanvi tau waala Avtar tha uska.. Koi shakk nahi kar shakta tha ye bahaar se hai.. Lekin ye jaa kahaan raha hai..

Mujhe dikh gaya tha woh thoda saa durr tha mujhse or woh right side mein jaa raha tha.. Or mere dekhtey he dekhtey ussne wahaan mojjud ek police waale kaa galla Kaat diya chaaku se like ek second mein.. What the fuck is he doing. Oh my god... Mere munh se nikala kyunki usko maarke John Uski police jeep mein baitha woh ek kone mein tha toh kissi ne dhyaan bhi nahi diya.. Keval police ambulance or meri Maserati he andar thi baaki sab gaadiyaan bahaar thi..Kya karega Ye bhaagega?? No way... Kuch kiye bina he..

Oh My God ye kuchlega bheed ko.. Matlab gussa aa he gaya isko kabtak roukkega..John gaadi Start karke full speed vips ki taraf badha logon ko hataa nahi shakta tha main no way issliye main turant bhaag k stage se kudda or just side mein meri maaserati khaddi thi piche Abeer wagairaah chilaatey rehgaye lekin main bhaagke gaadi mein baitha start ki gaadi or seedha aage badhaa di mereko bus seedha gaadi John or bheed k bich mein laani thi jo musqill tha lekin namumkin nahi issliye maine full speed se gaadi aage badhaai udhar se John aage badh raha tha meri gaadi safety proof hai toh mereko itana kuch nahi hoga or John ko roukaney kaaa yahi raasta tha.. 2 seconds aage piche hota toh John bahot logon ko kuchal deta... Log bc abhi bhi jaikaare lagaane mein busy they.. Maine gaadi just sahi time par John ki jeep k saamne lagaadi or hua crash meri gaadi ki right side mein maari John ki jeep ne full speed mein takkar or bhenchod woh jeep thehri bahot jyaada powerful uppar se aage barriers lage hotey hain Police vehicles par impact itana bhayankar tha ki meri gaadi ludakti hui gayi airbags out hogaye lekin again main thehra cool banda seat belt kaa time nahi tha meri gaadi bc pichak gayi or 5 baar ludak k ulti hogayi or wahaan mojjud 2 police waalon ko jaake lagi... Main andar bokhla gaya kyunki impact meri taraf he padda tha driver side he takkar lagi thi bhenchod mere kaan mein "Cheeeeee" bus yahi sunaai diya sab shor Sharaaba mute hogaya bhenchod meri naak or munh se khoon behne laga main chakra gaya kuch samjh mein nahi aaya bhenchod gaadi pichak gayi thi fir mujhe goliyon ki awaaj sunaai di toh side mein tutte mirror se dikha ki John gaadi ghumaa legaya or bahaar ko Bhaaga legaya Jeep ko..

Bhenchod woh 5 laakh ki jeep thi or ye 2.5 crore ki gaadi gand maardi bhenchod uske bonut bonut ne.. Bc police ko tank derakhe hain maadarchod..

Khair kissi ne bahaar se gate k tutte sishe mein hath daalke gate khola or mujhe khicn k bahaar nikaala bc mereko sab blurry dikh raha tha aaju baaki ki sound bandh thi.. Tab kissi ne bahot Saara Paani daala mere uppar or main bc jhatke se utha fuck... Ekdum se sound clear hui mere agal bagal mein bhai or Rishi they kyunki closest wahi they unhone he nikaala tha mereko Abeer or Mangal bhi bhaagte hue aae they..

Main-John..?

Deva-Woh nikal gaya baad mein pakkad lenge usko..

Main-Nahi.. Abhi...

Main bhai ko dhakka detey hue utha lekin abhi bhi mera mind center mein nahi aaya tha impact ki wajah se, issliye main fir se niche ghutano par girra.. Processor attak gaya tha mere mind kaa.. Bhaari impact tha.. Bhai or Abeer mereko side mein leke aaye saari bheed udhar aai lekin sath sath saari police wahaan aagayi turant unhone roukk liya bheed ko.. Bhai mereko side mein ambulance k pass leke aaye or wahaan ek chair yaa table kuch tha uss par baitha diya main blank tha toh mereko pakkade rakha Abeer or Bhai ne.. Tab koi lode ne meri aankhein dhakke se kholi or andar torch maarne laga or uske baad mere munh par thappad maare ussne maine jhatke se galla pakkad liya maadarchod kaa..

Deva-AP doctor hai doctor.. Leave him..

Bhai ne mera hath chudwaaya... Ab aankhein khulli meri or scene clear hua saamne Doctor they 2 jo Woh camp waale patients ko lejaane aaye they.. Woh meri aankhon Mein torch maarke mujhe hilaa dhulla k dekh rahe they..

Doctor - Ye kitani ungaliyaan hain..

Main-4 hain bhosdk..

Doctor - Or ye..

Main-Iss hath mein bhi 4 he hongi naa bhosdk baraabar hoti hain.. 30 minute mein doctor banein woh toh nahi haina tu..

Doctor - Deva sir theek hai ye bus impact ki wajah se thoda confused tha concussion nahi hai thankfully.. Ye chot wagairaah yahaan patch kardenge lekin chaaku wound k liye Inko hospital Jaana padega..

Babhi-Ye blood toh rokko kar kya rahe ho tum..

Doctor-Ji madam..

Ussne cotton liya or meri naak mein se behrahe khoon ko roukaney laga..

Doctor-Madam theek hojaaenge ye...

Babhi-Stop talking for fuck's shake focus on him..

Babhi mere side mein baithi or Dusari cotton leke mere munh se behrahe khoon ko saaf karne lagi..

Babhi-You ok Betu..?

Main-Where is John..??

Babhi-Don't worry tu pakkad lega usse don't move please you are loosing lot of blood..

Main-I will catch him babhi and I will make him suffer everything he made others feel.. I will kill him in so many ways that even he can't imagine...

Babhi-I know I know just chill for a bit.. You got this. Chill...

Next 5 minutes mein uss doctor ne patti kardi mereko bhenchod pichli patti utari nahi agli patti aagayi..

"AP you ok"???

Awaaj ki taraf mudda toh saamne Anaa khaddi thi uski aankhon Mein aansu they or woh darrtey hue bol rahi thi..

Babhi-Yeah yeah he is ok come here... Don't cry come here..

Babhi ne usko apke pass bulaaya or apne side mein baithaaya...

Anaa-Mam is he OK??

Babhi-Yeah yeah he is good..

Anaa-Oh my god that much blood..

Babhi- chill chill don't freak out don't freak out doctor ne bleeding rouk di hai everything is good now don't worry..

Ab baja mera phone maine hath jebb mein daalke nikaala toh bc bahot musqill se hath gaya andar.. Maine pick kiya... Toh saamne se awaaj aai John ki..

John-Toh akhir tumne aaj prove kar he diya ki tum ek hero ho..

Main-I will find you bitch don't you worry.. Tera bhai bhi nahi bachaa paaega tujhe.

John-Hahahah I am here alone AP mera bhai toh yahaan aas pass mein bhi nahi hai.. Tujhe kya lagta hai woh tujhe yun he millega.. Hahaha he is a bloody ghost AP you can't find him he will find you..

Main-Then start hiding bitch because once I am done I will come after you, "You Can Run I Will Chase You. You Can Hide I will Find You. We're Gonna Fight And I Will Kill You.. once and for all..

John-Who is hiding??? Ahahahaha.. I will tell you the address just come alone.. I am alone and its John's Promise my fucking promise... Come to The Old Lumber Mill..

Main-Oh you have a deal RJ.. I am coming..

Call disconnected...

Babhi-Tu kahin nahi jaaraha hai..

Main-I gotta go babhi it is me vs him it's now or never I can't let him leave agar woh nikal gaya toh waapis aaega or fir sabko maardega.. He is a fucking Psycho he doesn't care.. Let me go..

Abeer-Let me come with you Atleast..

Main-Naa tumlog durr se follow karna do not come near woh dekh lega toh Bhaag jaaega I will keep you updated...

Maine uss doctor se painkillers Lee or gatak gaya bina paani..

Anaa-AP please don't go you are injured please don't..

Main-I have to go Anaa.. Babhi take care of her..

Babhi - Be safe AP you can do anything, don't you doubt yourself..

Main-I know. Continue the Event.. Do not let them stop it..

Ye bolke main us Ambulance Van mein aaya chaabi andar thi toh ussi ko leke nikala full speed.. Police ne bheed ek side kar rakhi thi toh full speed se nikala main like crazy full speed se.. John ne kahaa woh akela hai toh woh akela hai there is no in between.. Toh Anssar kahaan hai?? Chupp gaya?? Haan 100% taaki bada plan Banaa shake..

Kaafi pain they meri body mein filhaal ribs meri khayaal se saari he gayi thi mera sirr fatt raha tha mere right hand mein Dard tha kaafi.. Fuck bhenchod... Lekin John ko chance nahi de shakta tha woh nikal gaya toh fir aisa plan banaake waapis aaega ki koi nahi roukk paaega usko..

Old Lumber Mill city k just outside hai bahot puraani mill hai wood cutting ki lekin pichle kaafi saal se bandh hai license wagairaah cancel hogaya tha inka.. Kaafi badi hai.. Main8-9 minutes mein wahan pohancha van bahaar he roukki or andar bhaaga... Abeer ko location he nahi bataai maine toh woh picha kaise karenge kyunki unki gaadiyaan bahaar hain tabtak main jaa chuka tha tracker mera already off tha phone maine kiya nahi.. Kyunki mereko 1 v 1 caahiye tha.. Or Jabtak mera phone trace karke yahaan pohanchenge tabtak the end holega..

Main mill mein enter hua toh bahaar kuch nahi dikha andar warehouse tha jiska ek gate tutta tha uska usme andar enter hua main gun wagairaah kuch nahi thi mere pass shayad gaadi mein he nikal gayi thi uski jarurat bhi nahi thi kyunki John chaaku he use karega.. Main andar enter hua toh andherra tha usme jyaada nahi lekin theek thaak tha.. Main idhar udhar dhundane laga usko..

Main-John i am here.. Come out darr gaya kya..

Tabhi ek chaaku meri taraf aaya or main kuch samjh paata usase pehle mere right shoulder mein jaa dhansa.. Fuckkkkk... Main chilaaya or jhatke se chaaku nikaalke kudda ek side.. Right side se aaya tha chaaku.. Or jitani speed thi uss hissab se mere se 30-50 meter durr tha RJ.. Issliye main uss direction mein aage badha he tha ki kissi ne koi switch on kiya or uske sath he uss pure warehouse mein light on hogayi bulb wagairaah they wahaan old waale kaafi light hogayi wahaan par. Or mere saamne tha RJ the man the myth the fucking Legend.. 6 feet kaa kadd theek thaak sareer..laal ek dum surkh laal aankhein.. Gora Rang ye bade bade hath... Sir par kaale or safed baal.. Clean saved ek dum bhayanak lag raha tha ye wahi banda hai jisne pichle najaane kitane saalon se pure Asia ko hilla rakha tha... Woh hansa apni rukhi awaaj mein jisse sun mere saare sareer mein kam kampi doud gayi..

RJ-AP AP AP the man of the hour.. How are you..?

Main-I am fine.. RJ I am fine..

RJ- So we met finally..

Main-Indeed we did..

RJ-I can't belive k i am standing in front of the person who just ruined years of my planning and hardwork..

Main-You asked for it.. Tumne bulaaya mujhe..

RJ-Woh toh tumhe aise nahi toh waise aana he tha itana naam toh kamaa rakha hai ki mere aane k baad tumhe aana paddey... Mujhe bus thoda competition caahiye tha or jitana mujhe tumhaare baare mein maalum tha tum usase bahot jyaada aage nikale.. Kya kiya AP in 1.5 saalon mein?? Maine jo tumhaare liye plan kiya tha tum usase kahin jyaada uppar pohanch gaye...

Bechaara dhoka khaa gaya isse laga main wahi AP hounga jo Surendra k time tha issne uski taiyaari kar Lee thi main out of Syllabus aagaya..

Main-Issiliye main baar baar Keh raha tha ki Matt khel game haar jaaega... Dekha haar gaya naa..

RJ-Hahahah. Jabtak hum Jinda hain tabtak tu nahi jeet shakta AP.. Mujhe maarega Toh Woh aaega usase nahi jeet shakta AP tu woh jaanwar hai..

Main - I'll take care of that.. Don't you worry...

Uske pass ek chaaku tha mere pass ek chaaku tha injured woh bhi tha lekin main bahot jyaada injured tha.. Hum dono aamne saamne aae..

RJ-This attitude of your AP how?? Kaise aaya ye attitude..??

Main-Aaya nahi I fucking earned every bit of it... This attitude is me I am the attitude..

RJ - Hahaha.. There is something in you AP that I like a lot you are passionate and Addicted... These 2 things are worst to have AP believe me you are something else..

Main--Yeah I know.. So finally woh Time aa he gaya You And Me Alone in here... Lets not waste our time and continue...

RJ-Or shall we...?

Ye bol John aage badha Chaaku ko pakkada he ajeeb tarah Se tha ussne bhenchod uske hand ki movement bahot jyaada tejj thi.. Mereko piche hattna padda dusare he waar mein..Let me study him first then I'll attack.. Kamjor dhundaney de iski..

John fir aage badha main fir piche hatta bhenchod uske hath bahot tejj they.. Bahot tejj..

John-Kya sochrahe ho??? Oh meri kamjori dhund rahe ho?? Hahaha...

Fuck bhenchod shyaana hai he toh...

John-same result same day same thing..

What the fuck is he saying..

John - I am confusing you AP..

Ye bol ussne War kiya iske liye main taiyaar nahi tha or naa he mera dimag taiyaar tha bhenchod chest par nishaan chhod gaya main piche ko girra lekin turant khadda hua.. Shirt almost fatt chuki thi issliye maine shirt faad k nikaali toh mere pure sareer par khoon he khoon tha..

John-What about Amir?? Usse kaise dhunda..

Main-Easy tha main mele ki location par. Aaya. Fukkkkkk...

Main fir rukka kyunki chaaku firse meri shoulder se leke niche takk cut kar gaya tha.. Maadarchod he is playing with my brain.. He is inside my fucking brain.. Mere dimag mein ghuss chuka hai woh..

John-Kya hua?? Ek time par 2 kaam nahi kar shaktey..? Bataatey-2 fight nahi kar shaktey..

Main-I can do anything I wantttt....

Abki baar chaaku ne mere hath par cut maara..

John - Overconfidence .. Issi mein mera plan gaya issi mein tu marega.. You know overconfidence is bad very bad AP..

Main-I don't have any over...

Maine chaaku maarna caaha usse uljha dekh k lekin woh nahi uljha tha bhenchod ussne meri chest mein laat di jo itani bhayanak lagi ki main uchak k piche jaa girra gand lagi niche jaake.. Lekin jhat se main filmy type mein kudd k utha lekin uthtey he mere munh par ek or laat paddi jisase main piche lagi machine se jaake takraaya..

RJ-Ye show off movies mein behtar lagtey hain AP...stand up let's go let's go..

Main fir khadda hua woh fir aage aaya..

RJ-You know what I like about you??? Your brain is fast..

Main fir uljha or abki baar ek punch padda mere munh par.. Bhayanak bhenchod
.. ye bade hath kaa punch thobdey par laga main fir girra niche..

RJ-Tumhaara brain Tejj jarur hai lekin confusing hai... Ab tejj hai toh kuch toh side-effects honge he iske Maine dhund liye woh concentration level bahot low hain tumhaare... Tumhaara dimag saamne waale kaa attack hone se pehle he calculate kar leta hai.. Lekin jab saamne waale kaa koi 1 attack he naa ho toh kya calculate karega.. Haina?? Kaise ye dekh...

Ussne chaku aage kiya mujhe 100% laga maarega lekin ulta ek laat maari ussne mere pait mein main jukh gaya or jukhtey he ek or laat maari pait mein jisase main fir piche ko girra.. Bhenchod he is fucking smart.. Concentration level low hain mere kyunki ye 1.0 maadarchod kabja karke baitha hai mere uppar..

Aise toh bhosdk 1 minute mein or Marr jaaega.. Focus bitch just focus.. Whats his weakness... Soch.. Iske hath bahot tejj hain lekin body movement bahot slow hai budha hogaya haina slow hogi he.. Maine dhyaan diya toh Sachmein woh slow tha bus uske hath tejj they..

Idea de koi..

Iska game issi k sath khel.. Confuse kar isko...

Great Idea..

Main-you know jab sabse pehle tere Bandon ko maara naa maine jo doctor they udhar wohlog mereko theek se touch bhi nahi kar paaye Bechaare lunch kar rahe they unko samjh mein bhi nahi aaya ki kya hua.. Apne families ki baatein kar rahe they.. Wagairaah wagairaah.. Kuttey ki mout maara unko last waala toh beekh maangraha tha..

Ab woh uljha or main jhapta ek laat di usko woh piche ko hatta lekin girra nahi... Girrana jaruri tha bhenchod..

Main-uske baad second waalon ki toh puch he matt woh bechaare khud chale aaye mere plan mein un budha budhiya ko maarne i mean come on yaar aisa kon karta hai.. Unko toh badi shiddat se maara sabko baraabar goliyaan milli thi... Unmein se ek bolraha Tha ki mujhe pata hai tu jeet jaaega lekin RJ ko nahi maar paaega tu.. Maine kahaa dekhlenge... Or dekho aaj tu main or piche ye badi si machines...

Woh rukka atka piche ghuma lekin ghumtey time he usse realise hua ki ye trick thi lekin usase pehle main uchala or uske thobdey par do kick woh takraaya uss machine se bhenchod girra fir bhi nahi..

Actually human brain ko jo dikhaao woh dekhega jitana curious karoge usko woh utana uljhega jaise piche machine hai ye toh pata he tha RJ ko lekin maine jiss hissab se usse bola ussko wajah se uske brain ne majbur kiya usko ghumne ko woh samjh toh gaya tha lekin reaction se pehle main kaam Kar gya..

Uske munh se khoon behney laga woh fir palta..

John-hahahah.. Tujhe pata hai tera dimag jo haina usko....

Aage bolney he nahi diya usko maine bhaagke dono pairon se uski chaati mein di double kick ye lagi ab lagtey he woh piche deewar se takraake niche girra niche toh main bhi girra lekin main girrtey he jhatke se utha same filmy style mein woh nahi uthpaaya itani jaldi woh mere or deewar k bich mein fans gaya maine ek k baad ek bahot si laatein maari uske pure saree par chaaku chutta uske hath se or main Jutta usko maarne jukh k punches diye uske munh par lekin jukh k galati kar gaya main kyunki ussne apni ek ungali maari mere Thyroid par.. Bhenchod pata nahi kya tha USA attack mein lekin woh aisi lagi meri Sans atak gayi ek baar ko toh main gardan pakkad k piche ko girr gaya chaaku mera bhi chutta or main khaanstey hue apne ghutano par aagaya bhenchod aankhon Mein Paani aagaya tha.. Ye achaa tha.. Main khadda hua toh woh bhi khadda hua dono k pass he chaaku nahi tha waise mera chaaku mere just bagal mein he padda tha main utha shakta tha lekin uthaaya nahi maine... Fuck knife bhenchod dhyaan bhatakta hai isase let's fight like a real man..

Maine chaaku ko maari laat jisase woh side mein hogaya RJ muskuraaya or aage badha.. Injured tha woh bhi uski ribs bhi gayi hongi munh Saara khoon se bharra tha woh meri taraf badha or main kuch samjh paata usase pehle bhaagke usane janwar ki tarah mereko takkar mein leke uthaake piche faink diya.. Main bhenchod hawa mein tha thodi si derr k liye toh fir niche girra bhenchod ye lagi... Ab aaega Sareer kaa farak merese double tha woh bhosdkaa.. Main uth paata usase pehle ussne meri dono taangein pakkadi or mujhe ghaseet kar deewar se faink k maara.. Holy fuck.. That hurts.. That really hurts.. Main landaake khadda hua lekin woh fir bhaaga meri taraf ab maine side mein kudana he theek samjha.. Jisase main bach bhi gaya or usase pehle agle waar k liye bhi taiyaar tha main issliye jaise he woh palta maine diya bhayanak punch theek uske jabde k uppar woh palat gaya lagtey he jiska faayda uthaake main uchala or apni elbow uske sir mein maari bhayaank power se bhenchod niche baith gaya Woh khopdi ghum gayi hogi uski or jaise he niche baitha woh maine ek k baad ek kai laat di uski chest mein lekin woh piche ko naa girra issliye main thoda piche hatta or thoda jump leke right foot diya uske kaan k uppar full force se ye laga force woh niche girra woh bhi tedha or jaise he woh niche girra maine apni right knee jadd di uski ribs mein woh tilmilla utha lekin khadda hota usase pehle ek or laat di uske munh par... Jiske baad woh mujhe dhakka deke khadda hua.. Uski ribs gayi kyunki woh tedha khadda tha woh bhi langdaatey hue.. Ab mukaabla baraabar par tha woh bhi injured tha main bhi.. Uska munh khoon se bharr chuka tha.. Usko wait caahiye tha lekin maine nahi diya main uski taraf bhaaga or bhaagke mere dono hath uske shoulder par rakh k uppar uchala main or apni dono knees uski thudi (chin) par jadd di ye tha power move force itana tha ki woh piche machine ko jaake laga main bhi niche girra lekin utha turant woh bhi machine kaa sahaara leke uth raha tha lekin main bhaaga uski taraf or uss machine k uppar pair rakh k kudda jisase mujhe force power or air teeno Mille or dusare pair se di laat uske munh par woh machine k uppar se jaake girra... Wahin uska chaaku girra tha ussne chaaku uthaaya toh mere pass toh time he time tha maine apna chaaku uthaaya piche jaake or fir hue hum aamne saamne..

Main-Kya hua??

RJ-I am not a fighter AP.. But still I can take you easily..

Main-I know tu fighter nahi hai woh dikh raha hai.. Smart hona he sabkuch nahi hota..

RJ-Toh tum kehrahe ho main tumhaare jaisa banun..

Main-Ji Haan.. Bilkul...

RJ-or woh kiss khussi....

Woh aage kuch bolta usase pehle main uspar jhapta kyunki uske hath ready nahi they lekin uski taang ready thi bhenchod ne aisi kick di ki main ludakta hua gaya piche... Or turant mere pass aake jukha chaaku ghonpney k liye lekin main ludak k ek side hogaya usase.. bhenchod shyaanpatti karta hai...

Main uthaa or thoda piche hatta..

RJ-Do not repeat same trick twice in a fight.

Main-oh but you just did...

RJ-No I didn't.. Kya repeat kiya maine..

Main-Dhyaan naa dena repeat kiya tune..

Ab boltey boltey main uspar jhapta or abki baar laga chaaku usko right shoulder se leke left shoulder takk cut kardiya maine...

Woh bokhlaaya mujhe dhakka maarna caaha lekin saamne mera chaaku tha chaaku uske left hand k aar paar karwaaliya khud ne he.. Maine jhatke se khinch k nikaala.. Or ab nikali uske munh se Pehli cheekh... Uske hath se chaaku chhutta or woh piche ko hatt gaya..

Main-Uthaale Uthaale..

Ab main confident tha main jeet jaaunga ek second ko thoda shakk tha lekin woh bhi durr hogaya..

Main-Toh tera bhai HOD k liye kaam karta tha.. Interesting...

Ye maara maine no ball par chakka woh blank hogaya... Ussne nahi socha tha HOD k baare mein mujhe koi jaankaari hai karke..

RJ-Tumhe kya maalum HOD k baare mein???

Main uchala or fir di kick uske chest mein woh fir girra niche.. Chaaku fir chutta uske hath se..

Main-Oh i know everything about that don't you worry..

RJ-oh Toh 1.5 saal uss side tha tu.. Oh everything makes sense now everything makes sense now.. No fucking surprise tu itana tejj hogaya..

Main-Thank you thank you..

RJ-toh kiske liye kaam karta hai tu?? HOD..??

Main-Nope..

RJ -Toh League k liye kaam karta hai ?? Ye nahi ho shakta..

Main-oh hell no fuck League..

RJ -Mujhe laga he tha.

Main-Tujhe 2 he bataaein hain tere Bhai ne??? Hahaha..

RJ-Ye Attitude ye over smartness ye skills tabhi main sochun tu itana kaise badal k aagaya...

Main-What can i say i am a fast learner..

RJ-You sure are..

Main-Mere pass ek deal hai lega???Tere Bhai kaa address bataa dey tujhe jinda chhod dunga life in prison.. Saari jindagi Jail k private cell mein rakhunga koi banda aas pass bhi nahi aaega tere..

RJ-Hahaha.. Marrna better hai AP.. Or Agar main tujhe Anssar ki location bataa bhi dun toh usse nahi hara paaega tu not a single chance.. He is an animal AP.. A Bloody Animal..

Main-And I am a beast.. A bloody Beast..

RJ-Do not worry woh khud dhund lega tumhe bina bataae nahi maarega tumhe saamne se maarega tadpa tadpa k maarega..

Main-Mera ek mann kar raha hai ki tujhe maardun lekin dusara mann kar raha hai tujhe jinda rakhun taaki tu tere Bhai ko tadapta hua dekh shake and then tujhe thok dun..

Woh aage badha Chaaku chalaaya main piche hatta ab main speed game khelne laga tha ek toh woh already slow tha move karne mein uppar se ab injured tha toh main bahot fast movement karne laga jisase woh bhi confuse hogaya.... Or uske agle waar k dauran maine Chaaku bich mein he pakkad liya or uska hath ghuma diya and diya uske munh par ek pucnh then hath mein diya jhatka jisase uska chaaku chutta then maara pait mein ek punch woh jukha or jukhtey he maine niche se ghonp diya chaaku uske pait mein or jhatke se nikaal diya woh chattpatata hua piche jaa girra...

Main-Toh kaisa lagta hai jab khud k uppar ye bittne lagti hai.. Ye chaku se Nafrat hone lagti hai haina?? Ki kyun maine use kiya ye..

Woh uthney laga..

Main-baitha reh chill abhi nahi maarunga.. You know mere bahot saare dushman hue tu maanega nahi in 1.5 saal mein maine itane log maardiye ki waise he chalta rehta toh kuch time mein teri saari team ki baraabari kar leta.. Belive me i killed a ton of people in those 18 months... Juth nahi bolunga I love killing people there is part of me jo kabhi kabhaar bahaar aajata hai and he just loves to see people dying there life emptying there body oh i fucking love it.. Thats my Intoxication .. Ab itane logon se nipta hun main lekin tu pehla banda hai jo pura game fairly khela tune kabhi tuchi harkatein nahi ki tu humessa by rules challa haarta raha but still kabhi tutta nahi.. Maine bahot kuch sikha but ye nahi seekh paaya.. Toh tell me tu kaise apna calm rakhta hai jab roj tere bandey teri so called family Marr rahi thi.. Mereko curiosity hai I want to know..

RJ-You talk about addiction toh tumhe toh pata he hoga ki addiction kya kuch karwaata hai.. Main easily sab kar shakta tha I mean bina tujhe kuch bhi bataaye hint diye bahot Kam chance they ki tu mujhe roukk paata lekin achieve kya karta main?? Kuch bhi nahi log marrtey sure lekin woh nasha kahaan hota usme itane saal baith k kissi aise bandey kaa wait kiya tha jo challenge kar shake mujhe jo koshish kare jo respect kare jo by rules chale or mujhe tu mill gaya or fir maine banaaya Plan ..Humein pata tha hum jeet jaaenge.. Lekin galati hogayi maine duniya parkhi hai AP Logon ki aankhon Mein dekh kar unhe padha hai.. Lekin tujhe nahi padh paaya even mujhe realize hogaya tha tabhi jab tune second time mere Bandon ko maara ki tu kuch or he cheej hai lekin still maine chalne diya mujhe laga tu lucky hogaya bus lekin uske baad jab tune lagaatar mere bandon ko maara woh bhi sath sath like koi chance he nahi diya unko wohlog AP saalon se logon ko maartey aae hain I know woh baithey baithey slow hogaye they wagairaah wagairaah par itane slow nahi they ki tu turant dhund dhund k maar raha tha unko.. That was crazy.. Or jab woh train waala incident hua or maine woh video dekhi jisme tune Aaruf ko 10 seconds mein dherr kardiya woh banda ek genuine fighter tha AP woh logon ko palak jhapakney se pehle maardeta tha lekin tune usko khilone ki tarah tod diya.. Uss din main samjh gaya tha ki hum mein se koi tera saamna nahi kar shakta combat mein aaj mujhe bhi maalum tha ki main nahi jeet shakta hum mein se koi nahi jeet shakta..issliye humne dhyaan plan par diya lekin usko bhi tune fail kardiya.. Mera bhai woh alag hai Humse woh harra dega tujhe easily tu uska saamna nahi kar shakta AP, naa he Combat se or naa he Dimag se....Woh tabaah kardega AP tujhe issliye behtar hoga ki tu khudko surrender kardey jaake or woh tujhe or teri team ko maarke nikal jaaega tera pariwar bach jaaega kam se kam.. Kyunki tera bhai jo haina uska jinda rehna jaruri Hai agar India ko India rehna hai toh.. Maine bahot koshish ki usko mele mein aane se roukaney ki usko mails bheje letters bheje daraane k liye lekin usko koi farak nahi padda main nahi caahta tha usko kuch bhi ho woh banda India ko bacha shakta Hai AP Kyunki iss politics k daldal mein aage aise magarmach hain AP jo sabko nigal jaaenge I know I love killing people lekin wohlog Humse badtar hain or koi andar kaa aadmi he kuch kar shakta Hai uske liye or filhaal pure India mein tere Bhai se sahi banda koi nahi hai.. Issliye surrender AP it'll be better for you..

Main-Tu ye dekh raha haina mereko main isase bahot aage hun tere Bhai ko bhi main wahin pohanchaaunga jahaan tu jaaraha hai.. Ab toh Jaana he tha tujhe I mean kabtak bachta bhaagta rahega thakk nahi gaya hai..? Ab toh jo kiya hai uska Anjaam bhugat he le..

RJ-Anjaam se kabhi nahi bhaagta main AP lekin koi Anjaam dene waala Milla he nahi aajtak lekin tujhse Anjaam paake main khuss hounga belive me i am impressed AP..

Main-Same here RJ bahot cheej sikhaa di tune itane dinon mein and jaisa pehle kaha maine I respect you I really do.. Lekin at the end of the day I won RJ...

Ye bolke maine chaaku uske chest mein ghounp diya lekin uske heart takk nahi legaya rukk gays main.. RJ ki awaaj takk naa nikali aankhon Mein Paani agaya uske..

Main-But now I think about these events main tujhe kyun maarun?? Jinda rakhta hun I mean akela jail Todd k tu Bhaag nahi shakta or jail mein tujhe jo log millenge woh sab k sab tujhe maarna caahenge because no one likes you RJ toh tujhe maarne se badtar hai tujhe jinda rakhna... Sahi kahaa naa..??

RJ-jjjjust finishhhhh mee...

Main-naa naa abtoh jinda he rakhunga aise kaise finish... Chinta Matt kar time to time milney aata rahunga tujhse..

RJ-Best of luck AP You won I lost but the game is not over yet AP... Have a Great Life ahead.. I learnt a lot from you.. I'll see you Soon up there..

Ye bol ussne mere hath par pressure daala maine nahi roukka yahi toh caahta tha main ussne khud mera hath dabaaya or woh chaaku gaya seedha uske dil k andar.. Woh vibrate hone laga.

RJ-See you around Apppppppp...

Main-it's AP bitch.

The Plague of modern era, The Death Machine, The Psycho, Most dangerous serial killer in the entire continent.. Red Mother fucking John is dead.. Woh bhi mere hathon mein.. That feeling was insane Jissne puri duniya ko tadpaaya woh mere saamne tadap tadap k Marra.. Ye sochkar he mere andar ek nasha bharr gaya I love it I fucking love it..

Main wahaan piche baith gaya or John ki dead body ko ghurrne laga.. Beshak kitane he bandey aaein or gaye meri life mein lekin sabse jyaada pain mentally iss bandey ne diya mujhe active ye kuch din se he hua tha lekin itane din mein issne gand faad di meri or team ki he was too fast and too smart but saamne waale k sath khelne kaa nasha isse le dubba.. Aaj bhi nikal shakta tha ye lekin issne mujhe khud bulaaya jaantey hue bhi ki woh haar jaaega issi se socho bhosdko kaisa banda tha ye.. Kya banda tha ye bahot saari cheejein copy karunga main isase ye haartey hue bhi jeetane waala attitude ye caahiye mujhe 100% caahiye bhenchod woh swag he alag hota hai main iske bandey maarke isko phone par dhamki deraha hun or ye chill maar raha hota tha that was some serious Psycho stuff.. Lekin jo bhi tha I won he loose hum dono ki fight mein kyunki I can't loose I am made only to win I am a different human being..Baat karein Anssar ki toh woh kahaan jaaega Maarunga toh usse bhi main he because "That's What I do, And That's What I love to do"...

Continued...
 
Back
Top