• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Romance Ek Hateli Lovestory ;) (complete)


[color=rgb(184,]Update 40[/color]


Phulo ki khushboo aur pyaar chipaye nahi chipte, aap kitni ki koshish kyu na kar lo wo ek na ek din saamne aa hi jata hai.. samay apni gati se aage sarak raha tha aur aniket aur komal ka pyaar badhte dino ke sath badh raha tha, dono sath sath rehte ghumte the, kabhi mandir me kabhi nadi kinare kabhi film dekhne, komal ne haav bhav baat chit me bhi fark pada tha, wo baithe baithe hi muskurane lagti, khud me khoye rehti, khud se hi bate karti, aaine ke saamne sawarti rehti, ek din aniket ne komal ko mandir me milne bulaya aur komal ko najane kya lehar aayi pata nahi

Aniket mandir me komal ki raah dekhte baitha tha aur wo jab aayi to use dekhte hi aniket ke dil ki dhadkan badh gayi, pehle pehal to usne komal ko pehchana hi nahi par jab dekha to dekhte hi reh gaya, aaj komal bahut alag dikh rahi thi, do minute ke liye to aniket ko apni aankho par vishwas hi nahi hua..

Aaj komal jis tarah se tayar hokar aayi thi na koi bhi use dekh kar uspar fida ho jata, khule chhode huye baal, kaano me jhumke, jinke halne ke sath sath aniket ka man bhi hal raha tha, naak me choti si nosering ghayal kar rahi thi, mathe par choti si laal tikli, chehre par halka sa makeup, pehli baar usme pink color ki lipstick lagayi thi, hoth ekdum gulab ki pankhudiyo jaise dikh rahe the aur aniket ko apne me uljha le rahe the, gale me ek motiyo ki chain, dono hatho me chudiya, light color ka nailpaint, dark chocolaty color ka top aur usko matching work kiya hua lehnga, baye kandhe par nakshi kaam kiya hua dupatta, balo ki ek lat chehre par aati huyi, aankho me kajal mano lag raha ho un aankho ki wajah se us kajal ki shobha badh gayi hai aur ye sab kam tha to hotho ke uper ka til, chalte huye dono hatho se ghaghra thoda uper pakadne se pair main pehni huyi payal ki jhankar dil ki dhadkan aur badha rahi thi, usme ek hathy me mehndi aur jaise jaise kmal muskura rahi thi lag raha tha jaise phulo ki varsha ho rahi hai

Aniket ektak bagair palace jhapkaye komal ko dekhe jar aha tha, uske us roop saundarya ko dekh ke aniket mantramugdh ho gaya tha, aise lag raha tha jaise koi apsara swarg ka rasta bhul kar sidhe dharti par aa gayi hai, komal uske karib aakar uski aankho ke saamne chutki bajate huye boli

Komal-hello palu..

Aniket ne komal ke dono hath pakde ayr waha baitha liya aur komal kuch bolti isse pehle aniket ne apni ungli uske hotho par rakh di

Aniket-shhhh kuch mat bolo

Uske baad najane kitni der wo komal ko dekhta raha, komal itni sunder dikh sakti hai ye usne sapne me bhi nahi socha tha, hamesha jeans tshirt wahi komal aur aaj wali komal me jamin aasman ka fark tha, kitna bhi dekh le man hi nahi bhar raha tha aur akhir me komal hi boli

Komal-ab bas bhi karo aise kya dekh rahe ho

Aniket-dekh raha hu ke koi itna khubsurat kaise ho sakta hai, ek pal bhi tumse najre hatane ko man nahi maan raha..

Komal-bas palu mujhe cane ke jhad par mat chadhao, mujhe pata hai main kaisi dikhti hu

Aniket-tumhe bilkul pata nahi hai..jara meri najro se dekho samajh jaogi..swarg ki apsara bhi jal ke khakho jayegi aaj tumhe dekh ke

Komal-arey waah! Tum aisi bate bhi karte ho mujhe nahi pata tha warna pehle hi aise tayar hoke aa jati

Aniket-wo koi gadha hi hoga jo aisi khubsurti saamne aane ke baad bhi aise nahi bolega, kau mujhe to lagta hai aaj tumhe meri hi najar lag jayegi

Komal-pyaar karne walo ki kabhi najar nahi laga karti..

Aniket-ye jo tumhare hotho par ka til hai na, maa kasam jaan lega dikh raha hai

Komal-arey ab bas bhi karo

Aniket-man nahi bhar raha na, kitna bhi dekh lu aur dekhne ki icha hai..wo to adi idhar nahi hai warna ek update sirf tumhare roop pe likh deta ( main kyu likhunga be tu likh
beee.gif
)

Komal-kya badbada rahe ho kaun adi aur wo kyu likhega mere bare me, meki or sirf dekh bhi liya na to do kaan ke niche padegi uske

Aniket-kau aaj main pura paagal ho gaya hu, mujhe hi samajh nahi aa raha hi kya badbada raha hu..

Komal hasne lagi

Komal-tum na paagal ho gaye ho0, pure paagal

Aniket-pehle nahi tha main aisa par tumne bana diya hai, waise main kismet wala hi ke tum meri jindagi me aayi

Aisa bol ke aniket ne komal ka hath chum liya aur komal has kar boli

Komal-fir wrong number

Jispar aniket ne haskar kaha

Aniket-darr lagta hai kahi chand par daag na lag jaye

Uske baad wo gungunane laga



Chand bhi dekha, phool bhi dekha

Baadal, bijli, titli, jugnu

[color=rgb(235,]Koi nahi hai aisa[/color]

[color=rgb(235,]
Tera husn hai jaisa

Meri nigah ne ye kaisa khawb dekha hai

Jamin me chalta hua mehtab dekha hai

Meri aankho ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Kiska chehra ab main dekhu

Tera chehra dekhkar[/color]

Komal sharam se pani pani ho gayi, mandir thodi chai par tha aur waha se pura gaon dikhta tha, dono ek or jakar baith gaye aur wo najara dekhne lage, komal apna sar aniket ke kandhe par tika kar baithi thi

Aniket-kau apan bhi kitne bewkuf hai na? kitne samay se hum sath the, pyaar hokar bhi na batane me kitna samay gawa diya..

Komal-samay maine nahi tumne gawaya tha

Aniket-tumhe kab ehsaas hua ki tum mujhse pyaar karti ho

Komal-jab tum shravni ke liye net practice kar rahe the tab..

Aniket-tum bhi kamal ho yaar tabhi sidha sidha batana than a meko

Komal-par tumhare dimag par us samay wo gober sawar thi na?

Aniket-aur tumne ye baat kisi ko pata bhi nahi chalne di

Komal-sach hai par avi ye baat jaanta tha

Avinash ka naam sunke aniket ekdum shock

Aniket-kya?? Avya ko malum tha? Ab milne de usko uski dusri tang bhi tutegi ab, sale harami ne pehle nahi bataya meko..

Komal-isme uski koi galti nahi hai, maine hi use tumhari kasam dekar mana kiya tha

Aniket-kau matlab main hi bewkuf hu na jo samajh nahi paya

Komal-bewkuf hai to kya hua ho to mere hi..

Aniket-par aaj tumhari khubsurti dekh k eek baat pata chali hai kau

Komal-kya?

Aniket-yahi ke meri choice ekdum solid hai aur teri ekdum buri..

Komal-rehne do jo hai mera hai..

Uske baad kuch samay baad aniket ne komal ko apni car se uske ghar drop kiya..komal bahut khush thi aur khushi khushi ghar me gayi par uski khushi jyada samay tak nahi tiki

Ghar me ghuste hi usne dekha ke uske pitaji aaj kaam se jaldi aa gaye hai aur wo use dekhte hi bola

Sayajirao-itna saj dhaj ke kaha gayi thi?

Komal-wo meri dost ki shadi me gayi thi..

Sayajirao chashme me se komal ko dekh rahe the

Sayajirao-shadi tekdi wale mandir me thi kya?

Apni chori pakdi gayi hai ye komal ke dhyan me aa gaya aur wo gardan jhuka kar kuch na bolte huye khadi rahi itne me uski maa aayi aur boli

Sangeeta-abhi ko tumhe ghar chhod kar gaya hai wo ladka kaun tha??..


To Be Continued..
 

[color=rgb(184,]Update 41[/color]


Apni chori pakdi gayi hai ye komal ke dhyan me aa gaya aur wo gardan jhuka kar kuch na bolte huye khadi rahi itne me uski maa aayi aur boli

Sangeeta-abhi ko tumhe ghar chhod kar gaya hai wo ladka kaun tha??..

Komal kuch nahi boli to uske pitaji ne use dobara shanti se pucha par awaj ka tone wahi tha

Sayajirao- suna nahi tumhari maa kya puch rahi hai?

Komal apni sari himmat jama karke boli

Komal-aniket..

Sayajirao-pura naam?

Komal-aniket narayanrao rane

Sayajirao kuch der tak kuch sochne lage, shayad kuch yaad kar rahe the fir bole

Sayajirao-ye wahi hai na, tumhare college ke trustee ka ladka

Komal ne gardan hila kar ha kaha

Sayajirao-tumhara usse kya sambandh ?

Ab komal ke saamne sawal aa gaya tha ki sirf dost hai bol ke baat taal de par agle hi pal dimag me khayal aaya ke aaj na kal ye baat batani hi hhai fir aaj kyu nahi? Par pata nahi kyu wo bol baithi

Komal-dost hai..

Sayajirao-bulao use

Komal ko kuch samajh me nahi aaya

Komal-theek hai bula lungi

Sayajirao-bula lungi nahi abhi bulao

Komal ab darr se tharthar kamp rahi thi aurt kampte hatho se usne aniket ko call lagaya, idhar kya hua hai aniket is baat se bekhabar tha,wo to komal ki khubsurti me hi khoya hua tha wo phone uthate hi bola

Aniket-yes my love, bolo

Komal-aniket tum abhi ke abhi mere ghar aao

Aniket-kyu mere saas sasur baahar gaye hai kya

Aniket apne hi mood me tha

Komal-nahi wo dono yahi hai aur papa ne tumhe ghar par aane ko kaha hai

Aniket-aailasasur ji ne bulaya hai, badhiya, waise bhi main khud unse milne ka soch raha tha..

Komal-aniket baat serious hai jaldi aao

Aniket-don't worry kau main abhi aaya

Aur aniket se gadi ghuma li aur khud se bola

Aniket-sala baap aur ladki ne ek hi din jhatke dene ka plan banaya hai pehle beti se roop se ghayal kiya ab baap kya karega pata nahi

Aniket se jhat se avinash ko phone lagaya

Aniket-avi main komal ke ghar jar aha hu, uske papa ne bulaya hai tub hi pahuch waha

Avinash-mereko bhi bulaya hai kya

Aniket-hao sab ko bulaya hai meri barat nikalne wali hai, tub hi kamal ki baat karta hai men..

Avinash-fir kyu bulaya hai?

Aniket-abey meko kya malum aura b CID banna band karega, bataya utna kar sawal mat kar aur waha pahuch ke baahar hi rukiyo, komal ka baap pailwaan hai unki beti se lafda yahi shamshan me apne naam ki adhi lakdiya, hath pair tod ke baahar feka to hospital leke jane waha koi hona chahiye na aur aaj tak apna anubhav hai pyaar ke mamle me meri hamesha dhulayi huyi hai wo yash ka matter ho ya suman ka

Avinash-ye bhi hai be, par ek acha hua, is baar maar khane me alag nahi lagega teri net practice huyi hai pehle hi

Aniket-ab baate baad me kar aur jaldi pahuch, main bhi pahuch raha hu

Idhar komal full tension me thi ke ab kya hoga? Ek pal ko lagta ne darr ke mare aniket nahi aaya to? Par usne wo khayal nikal diya, aniket darne walo ne se nahi tha aur wo aayega iska komal ko pura yakin tha aur itne me aniket aaya aur komal ki dhadkane aur badh gayi

Aniket ke aate huye sayajirao ki firing shuru ho gayi

Sayajirao-naam kya hai tera?

Aniket-aniket

Sayajirao-baap ne pura naam nahi sikhaya kya?

Sayajirao ke baat karne ke tarike se aniket samajh gaya tha ke mamla serious hai

Aniket-aniket narayanrao rane

Sayajirao-college ke trustee ka beta hai na tu?

Aniket ne bas ha me gardan hilayi

Sayajirao-tum dono kaha gaye the?

Aniket-tekdi wale Krishna mandir me

Sayajirao-waha kya kaam tha?

Aniket situation normal karne ke liye bola

Aniket-mandir me kyu jayenge kaka, bhagwan ke darshan karne gaye the

Sayajirao gusse ne aniket ki tarav dekh rahe the

Sayajirao-abhi aate waqt darwaje par ka nameplate nahi dekha kya? Pailwan sayajirao patil bolte hai mujhe, sidhe sidhe jawab de nahi to aaya chalk e hai jayega rengte huye

Aniket ne ha me gardar hilayi

Sayajirao-college me yahi sab karne jate ho kya? Yahi sab sikhaya hai maa baap ne? mujhe ache se pata hai amiro ke baccho ke lakshan, bholi bhali ladkiyo ko apne piche lagana, timepaas karna par dhyan me rakhna ye meri beti hai aur aainda iske aaspaas bhi dikha to..

Itna bol ke sayaji rao apne shirt ki bahi uper kar rahe the aur mucho ko taav diya, ab aniket ko bhi thoda gussa aa gaya tha, kyuki use kuch bhi bolo kitni bhi galiya do wo she lega par uske maa baap ko bola hua use sehan nahi hota tha usne man me kuch nishchay kiya aur bola

Aniket-iske aaspaas dikha to kya?

Sayajirao ne ek sansanit thappad aniket ko jad diya aur aniket sidha jamin par gira, komal ki himmat nahi ho rahi thi ek bhi shabd bolne ki, wo gardan jhuka kar ro rahi thi, aur aniket samajh gaya tha ke buddhe ne pailwani jarur chhodi hai par ab bhi hath me bahut jaan hai aur agar ye case hath ke baahar nikal gaya to aaj ek bhi haddi nahi bachegi, wo waise hi pade pade bola

Aniket-maaf karna kaka par aap samajhte ho main waisa nahi hu, yakin na ho to komal ko puch lo

Ab sayajirao komal ki taraf mude

Sayajirao-komal sach sach batana tum sirf dost ho ya kuch aur..aur khabardar agar jhuth bola to

Ab komal ki bari thi, usne man hi man socha ki yahi sahi samay hai, ab nahi bol payi to kabhi nahi bol payegi, usne decide kar liya tha kea b piche nahi hatna hai

Komal-papa hum pyaar karte hai ek dusre se

Sayajirao ne kabhi ladka aur ladki me bhedbhav nahi kiya tha aur aaj bhi nahi kiya ek thappad komal ko bhi laga

Sayajirao-sharam nahi aati baap ke saamne aise baat karte huye

Komal-maaf karna papa par jo sach hai wo yahi hai, hum dono ek dusre se bahut pyaar karte hai

Idhar aniket ko bilkul pasand nahi aaya tha komal ko mara hua

Aniket-kaka job hi jitna bhi maarna hai meko maro par komal ko saja mat do

Sayajirao-ab tu mujhe batayega ki main meri beti se kaise baat karu

Pata nahi kyu par aniket ko is situation me bhi hasi aa gayi aur use hasta dekh sayajirao aur bhadak gaye

Sayajirao-thappad bhul gaya kya jo has raha hai

Aniket ka darr ab nikal gaya tha aur ab jo bhi hoga uske liye wo tayar tha aniket aage bola

Aniket-kal tak wo aapki beti thi, aaj meri jivansathi hai, shadi to main usse hi karunga aapki majri se ya aapki marji ke bagair, ab bhale hi aap mere hath pair tod doya kanyadaan ke liye maan jao

Aniket seena chauda karke sayajirao ke saamne khada tha aur chehre par gajab ka confidence tha darr ka kahi namonishan bhi nahi tha

Sayajirao-abhi ke abhi tere baap ko phone kar

Aniket ne phone lagaya aur uske kuch bolne se pehle hi sayajirao ne phone le liya..aur bole

Sayajirao-main sayajirao patil bol raha hu aur apna ladka jinda chahiye to agle adhe ghante me yaha aao, nahi aaya to tere bete ki body raat ta pahucha dunga

Narayanrao bhi aisi baat sunkar khawal gaye

Narayanrao-aye sayaji.mere bete ke baal ko bhi dhakka laga to khade khade chir dunga..aa raha hu main..


To Be Continued...
 

[color=rgb(184,]Update 42[/color]


Narayanrao dandanate te huye komal ke ghar par pahuche aur unhone baahar se hi garjana ki

Narayanrao- sayaaaajiii..

Komal ke pitaji bhi darwaje me aakar chillaye.

Sayajirao-arey baahar khada hokar kya chillata hai..aa ander aa..

Narayan-ha to main kya darta hu kya tujhse? Hoga tu pailwan aur tere jaise bahut dekhe hai maine bhi

Aisa bol ke narayanrao ander aaye aur ander aate hi wo sidha aniket ke paas gaye aur uska chehra ache se dekhte huye aniket se boele

Narayanrao-isne mara kya tujhe?

Ab puri situation bahut mushkil ho gayi thi aur usme bhi agar aniket abhi ha bolta to narayanrao aur bhi gussa hote isiliye usne na bola to narayanrao gusse me bole

Narayanrao-nahi kya bol raha hai thobda dekh apna saaf samajh aa raha hai maara hai tujhe

Fir narayanrao sayajirao ki taraf mud ke bole

Narayanrao-sharam nahi aati aise baccho pe hath uthate huye ?

Sayajirao-to ab kya aarti utaru kya uski ? meri beti ko fuslaya hai usne

Narayanrao-waah re waah! Aaya bada meri beti ko fuslaya hai bolne wala aur teri beti to choti bacchi hai na jo use fusla liya

Narayanrao komal ki taraf mude aur bole

Narayanrao- kya komal sach kya hai wo batao jara apne baap ko

Komal fir boli

Komal-waisa kuch nahi hai, hum dono pyaar karte hai ekdusre se

Narayanrao komal ke paas gaye aur use ache se dekhte huye bole

Narayanrao-sayaji, ashram nahi aati kya beti par hath uthate huye ?

Sayajirao-wo meri beti hai, tu kaun mujhe puchne wala ?

Narayanrao-teri beti? Abe teri beti thi ab mere ghar ki bahu hai

Sayajirao-waah re waah! Kya to bole meri bahu hai, arey main nahi dene wala aise choro ke ghar me apni beti ko, eklauti beti hai meri..

Narayanrao-apne kiye karmo ki saja yahi bhugatni hoti hai aur meko chor bol raha hai tu arey pailwani ki masti dikha ke logo ke dabbbe chura ke khane wala tu mujhe chor bol raha hai..

Itne ne komal ke pitaji has diye aur narayanrao unki taraf dekhne lage

Narayanrao-jara der ruk nahi sakta tha tu sayaji? Laga apne daat dikhane..

Jispar sayajirao apne hath jodte huye bole

Sayajirao-jaisa baap waisa beta dono ek number ke nautanki..

Narayanra-tu bhi kuch kam nahi hai sayaji..

Idhar komal aur aniket dono full confusion me unhe kuch samajh hi nahi aa raha tha ke ye sab kya ho raha hai, dono apne apne bapo ko ashcharya se dekh rahe the, aur usme aur jyada kehar bole to dono ek dusre ke gale bhi mile.. ab to dono aur bhi shock ( aap log hi confuse hai na,
kinnu2.gif
bhai aaya hai bata ke jayega )

Itne me Narayanrao haste haste komal aur aniket se bole

Narayanrao-arey aise aankhe faad ke kya dekh rahe ho? Tumko kya laga tha tumhare maa baap ekdum hi lallu hai unhe to kuch pata hi nahi hai..

Jispar sayajirao bole

Sayajirao-naru inki haalat na us kahawat jaisi ho gayi hai, inko laga billu aankh band kar ke doodh pi rahi hai aur koi dekh hi nahi raha.. waisa hua hai inke sath

Fir narayanrao ne bolna shuru kiya

Narayanrao-tum dono pyaar me ho ye sab hum pehle se jaante the par tum dono ye baat hamare saamne manne ko tayar hi nahi the, isiliye fir hum logo ne decide kiya ki tumhari firki li jaye, pehle to sirf aniket ne komal ki pehchan karayi mujhe tabhi laga tha ke inke beech kuch to hai fir wo bhang wala kissa hua aur pehli baar aniket aur komal ne nashe me hi sahi apna pyaar bayan kiya aur dusre hi din maine komal ki sari details college me nikalwa li aur tab pata chala ke ye to mere hi classmate ki sayaji ki beti nikli

Fir sayajirao aage bole

Sayajirao- dusre din naru mujhse aake mila aur bhang ke kisse me bare me mafi bhi mangi, hum dono ko is rishte se koi dikkat nahi thi par tum dono ka hi kuch fix nahi ho raha tha isiliye humne bhi tumhe thoda samay dene ka socha, aaj sham ko jab maine tumhe mandir me dekha tabhi naru ko call kar diya tha aur tabhi usne ye sari nautanki plan ki..

Fir narayanrao bole

Narayanrao- tumko laga tha ke tumhare maa baap to kabhi jawan the hi nahi unhe ye pyaar wagaire kya malum, par gaon bhar logo ki hawa tingt karne walo ki hawa tight kar di aaj hamne..

Komal aur aniket ko dono ko is khulase pe kya bole samajh hi nahi aa raha tha par dono ki khushi ka ab thikana nahi tha aur komal jakar sidhe uske pitaji ke chipak gayi

Sayajirao aniket se bole

Sayajirao-sorry beta wo main jara character me ghus gaya tha aur tumhe ek rakh di, aur waise bhi thappad ka hakdar to hai tu kyuki mei beti ko mujhe dur jo leke jane wala hai..

Jispar aniket apna gaal sehlate huye bola

Aniket-mujhe mara to mara, komal ko bhi to padi, par kuch bhi bolo aapka hath solid hai din me tare dikh gaye

Sayajirao-aur ye dhyan me rakhna, agar meri beti ko jara hi takleef huyi to ye thappad yaad kar lena..

Aniket-ye to ab aakhi jindagi nahi bhulunga main

Sab log hasne lage aur fir sayajirao bole

Sayajirao-fir kab bajana hai sahdi ka band

Jispar aniket ne kaha

Aniket-kaka abhi hamari umra kaha huyi hai shadi ki thoda to samay dijiye

Sayajirao-ha ye bhi sahi baat par par ab jara apni padhai ki taraf dhyan ko tumhara gradation hone ke baad main jyada raah nahi dekhunga

Jispar narayanrao bole

Narayanrao-sayaji, tera ye ehsaan kaise utarunga main, tune bahut badea kaam kar diya hai aaj mera ab shadi ke liye kyu na ho ani paas to hoga

Sabhi log firse hasne lage itne me kisi ne jhuk kar darwaje me se ander dekha aisa laga, sayajirao uthkar baahar aaye dekhne aur chillaye

Syajirao-tu yaha kya kar raha hai..

Wo avinash tha, usko khade khade tension aa raha tha ke itni der se ander chal kya raha hai isiliye wo dekh raha tha aur avinash ekdum bola

Avinash-main wo ani ka dost avi

Sayajirao ne use pehchan liya aur uska hath pakad ke ander laye aur use dekhte hi narayanrao bole

Narayanrao-ye hai nautanki number 2, avi..

Sayajirao-arey ye wahi hai jo us din mere gadi ke saamne aaya tha

Jispar narayanrao hasne lage

Narayanrao-arey sayaji ye inka plan tha tujhe bewkuf banane ka idhar aniket komal ko propose karne aaya tha aur tab tak tujhe roke rakhne ke liye ye teri gadi ke saamne aa gaya

Sayajirao ne apna hath uthaya aur avinash ne apni aankhe pakki band kar li, use lag raha tha kea b jhapad padegi par hath gaal pen a padte huye pith pe pada

Sayajirao-shabaas, dost ke liye pair tudwa liya, aniket naseeb wala hai wo tumhare jaisa dost mila hai use.

Ab apne avi seth bhi ekdum khush.


To Be Continued...
 

[color=rgb(184,]Update 43[/color]

Sab kuch sahi chal raha tha par sab sahi chale ke kismat ko kaha manjur hota hai (aur yaha inki kismet likhne wala apun hai
evil_laugh.gif
) hame jo chahiye wo hame na mile ye to niyati ka pasandida khel hai aur har love story puri hoti hai aisa bhi nahi hai..

Aniket aur komal ekdusre ke pyaar me puri tarah se dube huye the, komal aur narayanrao ki permission leke aniket yash se milne chala gaya aur uski shadi ki bhi puri planning ki aur yash ki bhi shadi ho gayi usse hi jisse wo pyaar karta tha, samay pankh laga ke ud raha tha aur dekhte hi dekhte din hafte mahine nikal gaye..

Aniket jitna chatur tha utna hi niragas bhi tha, maja masti se paripurn tha, jaise wo kai logo ko pasand tha waise hi wo kayi logo ki aankho me khatak ta bhi tha, aniket ke to apni taraf se aaj tak sabse dosti hi kit hi par kuch mahan log aise bhi the jo use apna dushman maante the aur in sab se aniket puri taraf se bekhabar tha.

Ek din komal ko mil kar wapis aate samay aniket ek nirjan jagah par ruka uska phone baj raha tha aur wo phone uthane ke liye usne gadi roki aur itne me hi achanak uske sar par ek fatka pada aur uski aankho ke saamne andhera cha gaya..

Najane kitne samay baad use hosh aaya, wo ek nirjan room me band tha, uske sar par maar itne jor se laga tha kea b bhi uska sar thanak raha tha par ye sab uske kuch samajh nahi aa raha tha ke kya ho raha hai.. uske dono path pair rassio se bandhe huye the aur muh par bhi kapd bandha hua tha, pura hosh aate hi aniket chatpatane laga par use bahut kas ke banda gaya tha, wo apni puri jaan laga ke chillane ki koshish kar raha tha par muh me kapda fasa hone ki wajah se nas 'uu..uuu' ki awaj ke alawa koi awaj baahar nahi nikal rahi thi, aniket ne khud ko chudane ki bharpur koshish ki par sab vyarth, wo jitna khud ko chudane ki koshish karta utna wo rassi ki gath aur bhi pakki ho rahi thi, bahut koshish karne ke baad aniket thak gaya aur waise hi jamin par pada raha

Sar par jaha maar laga tha wo hissa to dukh hi raha tha sath hii uska sar ye soch ke jyada dukh raha tha ke ye sab aakhir chal kya raha hai? Kaun kar raha hai ye? Aur kyu kar raha hai? Soch soch ke uska sar fatne ko aaya tha, aniket ke man me ab bahut bure khayal aane lage the, apne sath kuch ho gaya to maa bapu ka kya hoga?, komal ka kya hoga? In bato ke bas khayal se hi aniket ke pasine chutne lage, aniket ab pura ghabra gaya tha aur uski aankho se aansu behne lage the par unhe dekhne ke liye waha koi nahi tha, aisi haalat me bahut samay nikal gaya aura b aniket normal ho gaya tha, usne apne aap ko samjhaya ki ye waqt bhavuk hone ka nahi hai balki paristithi ka saamna karne ka hai.

Aniket ne apne aas paas najar ghumayi, wo ek bhayan andheri room thi, sab taraf dhul ka samrajya pasra hua tha, sab taraf makdi ke jale latak rahe the, diware kali pad chuki thi, sara tuta futa saaman waha idhar udhar pada hua tha, wo ek purana godown ya koi band padi huyi factory thi aisa aniket ko andaja aaya, bhayanak shanti thi waha. Kisi bhi insaan ki koi nishani nahi thi waha beech beech me kabutar aur chmgadar ka awaj aa raha tha

Aniket shanti se hare k awaj sunne ki koshish kar raha tha, uske dhyan me aa gaya tha ke use jaha rakha gaya hai uske paas hi kahi samundar tha, wo sochne laga ke uske gaon ke paas to kahi bhi samundar nahi hai samundar to uske gaon se 120km dur hai, aniket ko ashcharya hua ke wo waha pahucha kaise aur use pata bhi nahi chala, sharir par ke kapde dekh ke lag raha tha ke wo kuch ghante nahi balki kayi dino se behosh tha, wo waise hi pade pade sochne laga ki akhir hua kya hoga

Kuch samay baad use bhuk lagi to usne idhar udhar najar ghumayi to uske dhyan me aaya ke waha ek table par ek plate me ek pav rakha hua hai aur ek pani ki bottle aur ek straw bhi hai

Udhar ghar par aniket raat bhar aaya nahi tha to ghar walo ne koi tension nahi liya tha kyuki iska is tarah raat bhar gayab rehna gharwalo ke liye kuch naya nahi tha par jab aniket ka phone nahi lag raha tha to komal ne ghar phone kiya to gharwalo ko chinta hone lagi, aniket ka kahi koi pata nahi lag raha tha, kaushalya aur komal ro ke behal the aur akhir me avinash aur narayanrao police me complaint likhane gaye, har jagah aniket ko dhundha lekin kisi ko kuch pata nahi tha kisi ne use nahi dekha tha, uski aakhri mulakat komal se huyi thi par uske baad use kisi ne nahi dekha tha, yash se bhi puch ke dekha gaya par use bhi aniket ke bare me kuch pata nahi tha, aur usme kehar yani aniket ki bike bajar me ek jagah par mili par uska kahi pata nahi chal raha tha

Idhar aniket ko bhuk lagi thi aur khane ko jo rakha tha wo thoda dur tha, wo jaise taise renge huye sarakte huye is khane ki plate tak pahuch to gaya tha par khayega kaise muh par to kapda bandha hua tha, ab wo kuch nahi kar sakta tha wo waise hi jamin par pada raha,

Aniket sochne laga ki kisi ne use kidnap kiya hai aur ab uske pita se paise ki demand karenge, use yakin tha ke uske pitaji use jarur chhuda lenge..

Akkha din aise hi nikal gaya, sham ko aniket ko kisi baat karne ka awaj sunai diya koi to kisi par gussa kar raha tha

"arey murkh aadmi, tujhe kaha tha sirf behosh karna aur tune ye kya kar diya? Wo mar gaya hai ke jinda hai hai wo?

"nahi malik jinda hai wo saas chal rahi hai uski"

"arey par aise maarte hai kya ?"

"malik jyada jor se maarta to uska sar fat jata na, fir bhi maine use dawa laga di hai aur uska khun aana bhi band ho gaya hai"

"aisa kya ? fir do din ho gaye hai use ab tak hosh kyu nahi aaya use"

"malik aaj subah hi hosh aaya hai use"

"kaise, hamme se koi bhi dinbhar aaj yaha nahi tha fir tune kab dekha ?"

"abhi aane ke baad dekha, wo sarakte sarakte huye pani ke paas gaya tha aur mujhe batao malik aapko badla hi lena hai to hath pair tod dalo ya fir sidha khatam kar do use yaha kyu rakha hai"

"meri to icha hai use maar daalne ki par usse pehle use pata chalna chahiye ki use kyu aur kisne mara hai, papa ne warning di hai ki jab tak wo khud yaha nahi aate tab tak koi kuch nahi karega aur teko pata hai jo bhi unki baat nahi manta uska haal iske jaisa hi hota hai"

"malik tab tak wo jinda rehna chahiye na"

"bandh ke rakha hai aise kaise marega"

"malik bhukha hai wo, khayega kaise muh me to kapda thusa hua hai"

"ha ye bhi hai, ek kaam kar uske khane tak muh khol de uska aur jarurat pade to tu khila de par hath mat kholna, bahut danger hai wo"

Fir wo aadmi aniket ko khana khilane ke liye ander aaya..


To Be Continued..
 

[color=rgb(184,]Update 44[/color]


Wo aadmi ander aaya aur aniket ki taraf dekh ke hasa aur usse bola

Aadmi- main tera muh sirf aur sirf do minute ke liye kholunga aura b ye teri choice hai ki tu un do minute ka kaise upyog karta hai, ya to un do minute ke khana kha ke apni bhukh thodi mita le ya to mujhse sawal kar le, waise bhi sawal puchke koi fayda nahi hone wala hai kyuki mujhe to waise bhi tere lafde ke bare me nahi pata hai aur jo bhi mujhe pata hai main tujhe nahi batane wala to tere do minute shuru hote hai ab..

Itna bol ke fir us aadmi ne aniket ke muh ka kapda hata diya aur aniket ko bhi uski baat sahi lagi kyuki is samay sawal puchne se jyada kuch khana jaruri tha.. us aadmi ne pav ke tukde karke aniket ko khilaye aur fir us pani ki bottle se ajeeb se taste wala pani bhi use pila diya aur achanak aniket chillane laga, aniket ko laga ki ab yahi sahi mauka hai isse pehle ki ye gunda uska muh band kare kya pata koi chillane ka awaj hi sun le par hua iske bilkul ulta, wo aadmi apni jagah par khada hokar aniket ko dekh ke has raha tha, aniket jab chilla chillakar chak gaya tab wo guard bola

Guard- hoi gaya chilla ke? Dekh le thoda aur chilla le kya pata koi teri madad ko aa jaye, murkh ladke yaha se 10 km tak bas tu aur main hu isiliye ab apna gala faadna band kar

Aniket- agar aisa hai aur yaha koi nahi hai to mera muh kyu banda hua hai?

Guard- hum hokum ke gulam hai jo malik bolega wahi karenge

Aniket- aur ye malik kaun hai tera?

Guard- kyu be bahut chul hai kyat ere me? Sab abhi janega? Pata chal jayega muh band kar apna

Itna bol ke us guard ne aniket ka muh dobara band kar diya, kuch samay baad kisi gadi ke aane ka awaj aaya, aniket ka sara dhyan darwaje ki taraf tha, darwaja khula aur ek ucha lamba aadmi ander aaya, hath me sone ka bracelet aur aankho par goggle, ander aate hi usne guard ko ishara kiya aur guard ne aniket ke muh par ki patti hata di aur wo aadmi bola

Aadmi- acha! To tu hai aniket

Pety me kuch jane ke baa dab aniket ka darr kam ho gaya thaw o bola

Aniket- tum log kya bagair aadmi confirm karte uthate ho kya? Main hi hu aniket aur tum log ho kaun aur kya chal raha hai ye?

Wo aadmi shanti se khurchi par baitha aur gogglr nikal kar bola

Aadmi- mera naam rajeshwar hai, tere se kuch hisab baki tha bas isiliye uthaya hai tujhe..

Aniket- kimat bata mere bapu fek ke marenge tere muh pe..

Aniket ki baat sunkar rajeshwar hasa aur aniket ke paas jakar usne ek jordar thappad mara aniket ko aur bola

Rajeshwar- tu abhi chota baccha hai mere samne aur ha ye bhi sun ke tere baap ke jaise 10 log main apni jeb me leke chalta hu isiliye aainda kuch bhi bolne se pehle dus baar soch lena

Usne fir us guard ko ishara kiya aur guard baahar gaya aur anpe sath ek ladke ko ander lekar aaya aur us ladke ko dekhte hi aniket bola

Aniket- raman tu?? (raman wahi hai jisne komal ko cheda tha aur baad me in sabne uski kutai bhi ki thi )

Ab aniket ko sari kahani dhyan me aa gayi thi aur rajeshwar bola

Rajeshwar- ye mera eklauta beta raman, pehchanta hai na ise

Jispar aniket hasa

Aniket- main kya akkha college janta hai ise to, mawali harkate kar raha tha to college ki ladkiyo ne sandel maar maar ke bhagaya tha ise

Aniket ka is tarah hasna raman ko acha nahi laga aur wo aniket par tut pada aur use maarne laga aur jab maar maar ke thak gaya tab usne aniket ko chhoda, aniket jamin par pada tha aur uske muh se khun nikal raha tha us khun ko thukte huye haste huye aniket bola

Aniket- agar itna hi apni mardangi dikhane ka shauk hai to ek baar mere hath khol ke dekh, fir the batata marte kaise hai na teri gand me jhadi jhusa ke tujhe morn a banaya to mera naam bhi aniket nahi..

Raman fir se aniket ko maarne lapka par rajeshwar ke ishare par guard ne use beech me hi rok liya aur rajeshwar aniket ke paas jate huye bola

Rajeshwar- itni haalat kharab hai fir bhi akad kam nahi huyi hai teri, maan gaye teri himmat ko, teri aankho me mujhe bilkul darr nahi dikh raha hai aur yahi mujhe pasand nahi aaya, dusra koi hota to mafi maangeta to main use hath pair tod ke chhod deta par tere liye maine kuch aur soch rakha hai..

Aniket ne bhi thanka kar kaha

Aniket- maine kuch nahi kiya hai, tumhare ladke ki galti thi aur use uski saja mili hai

Ab tak shant rajeshwar ekdum khawal gaya usne dono hatho se aniket ki gardan pakdi aur daat peeste huye bola

Rajeshwar- tujhe pata nahi hai tune kya kiya hai..us din mera beta sharminda hokar ghar aaya tha aur mahina bhar baahar nahi nikla, uske dimag par asar ho gaya tha aur itne mahine lage hai use theek hone me aur tu bol raha hai tune kuch nahi kiya ? waise to galti us komal ki hai, saja use deni thi par mil gaya tu..

Komal ka naam sunte hi aniket par mano bijli giri ho wo ekdum shock ho gaya aur ab aniket ke chehre par chinta dikhne lagi aur wo samjhate huye bola

Aniket- dekho rajeshwar aap ko samajh nahi aa raha hai ke galti aapke bete kit hi..

Rajeshwar- maantu hu ki usne galti kit hi par tum logo ne use sare college ke saamne ladkiyo se maar khilakar sharminda kiya hai, uske dimag par iska asar hua hau aura b tumko iski saja bhugatni padegi, ab bata saja tu bhugtega ya komal ?

Jispar aniket bagair ek pal gawaye bola

Aniket- tumko jo saja deni hai main bhugatne ko tayar hu, par agar komal ki taraf aankh utha kar bhi dekha to main aankhe nikal lunga tumhari

Rajeshwar hasa

Rajeshwar- main bhi yahi chahta hu, kyuki tujhe saja di to use apne aap saja mil jayegi, aur mujhe use tadapte huye dekhna hai

Itna samay shant baitha hua raman bola

Raman- papa maar dete hai ise bahut ho gayi baat

Jispar rajeshwar samjhate huye bola

Rajeshwar- nahi beta maar diya to saja ka maja nahi aayega, ise to main aisi saja dunga ki ye jinda to rahega par komal se apne pariwar se kabhi mil nahi payega aur wo bhi jindagi bhar tadapte rahenge

Raman- aisa kya karne wale ho aap

Jispar rajeshwar haste huye aniket ki taraf dekh kar bola

Rajeshwar- tu bhi janna chahta hoga aage tera kya hoga to sun, mera import export ka kaam hai aur kal mera maal ship se france jane wala hai, main tujhe ek container me daal dunga france sarkar ke liye tu ghuspaithiya hoga aur wo tere mare tak tujhe jail me rakhenge, mera badla bhi pura hoga aur main pakda bhi nahi jaunga

Ye sun kar aniket ke pairo tale jamin sarak gayi, pair kampne lage aur wo niche baith gaua aur rajeshwar jate jate bola

Rajeshwar- ek baat bhyan me rakhna, agar tune bhagne ki koshish ki to ye haalat komal ki hogi ab choice teri hai tu ya komal..

Uske baad raman rajeshwar aur guard teeno hase aur waha se nikal gaye...
 

[color=rgb(184,]Update 45[/color]


Aniket waise hi pada raha, uski aankho se aansu beh rahe the, kya kare yahi use samajh nahi aa raha tha, use khud ki chinta nahi thi use chinta thi komal ki apne maa baap ki, dil aur dimag me kya kare kya na kare isko leke jung chidi huyi thi, dimag keh raha tha ke

"us ladki ke liye tu apni jindagi daav par laga raha hai par tere maa baap ka kya ? unhone tujhe janm diya tujhe paal pos ke itna bada kiya tere sath agar kuch bura ho gaya to unka kya hoga"

Wahi dil keh raha tha ke

"komal ke bina tu kaise jiyega ? aur soch agar in logo ne komal ko kuch kar diya to ? komal ko kuch hone ke khayal se hi tere rongte khade ho rahe hai komal ko agar kuch ho gaya to jina mushkil ho jayega au raise tujhe jinda lash ki taraf dekh kart ere maa baap ko kya mehsus hoga unhe bhi dukh hoga"

Dimag keh raha tha

"to yaha se nikalne ka, bhagne ka rasta khoj"

Dil keh raha tha

"fir komal ka kya ?"

"arey yaha se bhagne ka sidha police station jane ka aur in paagal logo ko police ke hawale karne ka,in dono baap bete ko jail me sadane ka?

"kitne din rahenge jail me, kabhi na kabhi to baahar aayenge aur baahar aane ke baad wo aur khatarnak honge"

"wo baad ka baad me dekhenge pehle yaha se nikalne ka rasta khojna chahiye"

Uske baad aniket ne bahut koshish ki par sari koshishe bekar ho gayi, waha se bhagna to dir wo to apne hath ki rassi bhi nahi khol pa raha tha, wo chhutne ke liye jhatpata raha tha itne me guard waha aaya aur aniket se bola

Guard- kya chal raha hai aniket babu, kyu faltu me apne aap ko takleef de raha hai, ek to ye rassi nahi chhutne wali aur tu kitni hi koshish kar le te tutegi nahi ha isme tere sharir par jakham jarur ho jayegi..

Aniket se sidha sawal kiya

Aniket- mujhe chhodne ki kimat bol, itna paisa milega ki jindagi bhar kamane ki jarurat nahi padegi

Wo guard hasa aur bola

Guard- beta hamara dhandha bhale hi gair kanuni ho par hamare dhande ke bhi kuch usool hai jo ham maante hai, hamare dhandhe me insaan ki jabaan ki kimat hoti hai samjha

Aniket- tujhe nahi lagta ki ye sab galat ho raha hai ?

Guard- wo sab sochna mera kaam nahi hai, aur agar tu yaha se bhagne ki soch raha hai to main tujhe abhi khol deta hu

Itna bol ke us guard ne aniket ke hath khol diye aur bola

Guard- par bhagne se pehle bas ye dekhta ja

Itna bol ke us guard ne apne phone se kisi ko video call kiya aur bola

Guard- kaha hai wo batana jara

Udhar dusri taraf se awaj aaya..

"yahi hai boss, ruko camera ghumake dikhata hu"

Us guard ne apna phone aniket ko dikhaya, aniket ko usme komal dikhayi di, wo mandir me ja rahi thi, fir guard bola

Guard -do log hamehsa komal par najar rakhe huye hai, idhar tu bhaga aur waqha unhone komal ko uthaya, to ab kya socha hai tune..?

Aniket ne apne hath aage kar diye aur guard ne fir se uske hath bandh diye aur waha se chala gaya aur aniket thak ke wahi shant baith gaya

Sabke chehre aniket ki aankho ke saamne ghum rahe the, maa papa avinash aur komal, sabke sath bitaye pal kisi film ki taraf uske aankho ke saamne chal rahe the, reh reh kar use komal ki yaad uski aankho me aasu bhare ja rahi thi, such aniket ke saamne hath jode khada tha par use us such ka anubhav nahi lete aaya iska dukh tha, komal uske saamne thi uske sath thi fir bhi apni bewkufiyo me wo us such ko anubhav na kar saka, hath se ret fisalti hai jaise samay nikal gaya tha aura b hatheli khali thi, fir bhi ek khushi thi ke in sab anmol palo ki uske sath yaade thi jinke sahare use ab apni aage ki jindagi gujarni thi

Kabhi kisi chiz ke bare me jyada na sochne wala aniket, bas apni hi masti me rehne wala aniket ab kahi piche chhut gaya tha, ab jo yaha aniket thaw o har chiz ke bare me sochne wala jimmedari ko samajhne wala aniket tha, ab tak usne jo bhi kiya use sab yaad aa raha tha aur usne man hi man bhagwan se prarthana ki

Aniket- hey mahadev ab sab kuch aapke hath me hai, prabhu kripa kariye marg dikhaiye..

Kuch der baad guard fir se ander aaya aur ab uske hath me ek injection tha, aniket bola

Aniket- ye kya hai

Wo guard hasa aur bola

Guard- waise dekha jaye to ye tere hi kaam ki chiz hai

Aniket-main bilkul ye injection nahi lagwaunga..

Guard-arey maine kaha na ye tere hi kaam ki tere hi fayde ki chiz hai, dekh isme behoshi ki dawa hai, ise lagan eke baad kam se kam 48 ghanto tak tujhe hosh nahi aayega aur hamara fayda ye kit u behosh hoga tab tak container ship par load ho jayega, kisi ko kuch pata nahi chalega, tujhe bhi nahi, fir karib 15 din lagenge tujhe waha pahuchne me, 48 ghanto me tu bharat ki seema se baahar hoga, isiliye 48 ghanto baad jab tujhe hosh aaye to chillane lagna, fir ship ke log tujhe container se baahar nikalenge, ship videshi hai isiliye wo tujhe wapis nahi layenge fir ship ke kisi room me tujhe band karke rakhenge, tu mare na isiliye khane ko dete rahenge, ek baar ship france pahuch gayi to tujhe custom waloko saup denge aur waha se tu sidha jail me

Aniket ko kuch bhi sun raha thaw o ekdum bhayankar tha wo guard fir bola

Guard- aur sabse badi baat, tu mana karne ki haalat me nahi hai, faltu me hath pair hilayega to tujhe hi takleef hogi

Wo guard itna chatur tha ke usne aniket ko bato me uljha kar use injection de diya aur aniket ko pata bhi nahi chala wo bol raha tha

Guard-chinta mat kar videshi jail bharat ki jail se achi hoti hai,aur is injection ka asar jaldi nahi hoga to do ghante me dheere dheere behosh hoga

Jaise jaise samay aage sarak raha tha aniket ko gungi(behoshi) aane lagi thi, saamne jo chal raha tha use sab dikh raha tha awaj sunai de rahe the par sharir ekdum sust ho gaya tha, thodi der baad use container ka awaj aaya, guard uske paas aaya aur kuch bolne laga, uska awaj aniket ke kano par pad raha tha par use kuch samajh nahi aa raha thaw o bas guard ko dekhe ja raha tha

Guard ne uske bande huye hath pair khol diye par aniket ko waha se bhagna to dur apne hath ki ungli hilana bhi mushkil tha, guard ne use uthaya aur container me lejake rakh diya aur uske baad wo container alag alag boxes se bhar diya

Aniket ab puri taraf behosh ho chuka tha aur use container me rakha hai ye usne dekhi huyi aakhir chiz thi, behosh haalat me bhi uski aankho ke saamne use maa papa avi aur komal dikh rahe the, wo usse baat kar rahe the, use ye bhi samajh nahi aa raha tha ke ye uska bhram hai wo bhi unse baat kar raha tha, sharir shant pada tha par man sabke sath tha, ye acha hua tha, is behoshi ki dawai se wo apna sara dard bhul gaya tha

Najane kitne samay baad use hosh aane laga par aankho ke saamne ab bhi chehre ghum rahe the, fir awaj kano par padne lage, usne aankhe kholi par kuch dikhai nahi de raha tha, usne thodi si aankhe kholne ki koshish ki par behoshi hat nahi rahi thi, wo waise hi pada raha, docter suman, sidharth aur bhi teen log the jinke chehre saaf nahi dikh rahe the, aniket ne ache se dekha to rahesh raman aur guard uspar has rahe the, aniket ne firse aankhe mund li aur behosh ho gaya...
 

[color=rgb(184,]Update 46[/color]


"ani!! Aniket.."

Suman aniket ke gaal pe thapki dete huye use hosh me lane ki koshish kar rahi ti aur aniket ko aise lag raha tha ke wo neend me hai

Aniket-sone de na sumi, kyu sata rahi hai

Itna bol ke aniket ne fir se aankhe band kar li aur suman use firse uthane lagi, use ab chinta ho rahi thi, wo siddharth se boli

Suman-sid ise dose kyada to nahi ho gaya na ?

Siddharth-suman injection dekar sirf abhi char ghante huye hai aise kya kar rahi ho, tum docter ho bhul gayi kya ?

Piche se awaj aaya

Aniket-farre chala ke paas huyi hogi

Aniket adha hosh aur adhi behoshi me tha , uski baat sun ke siddharth hasne laga

Siddharth-ye dekl lo
kinnu2.gif


Suman aniket se hath pe maarte huye boli

Suman-dekho na ye rakshas pura hosh me bhi nahi hai fir bhi iski harkate band nahi hoti

Siddharth- par socho pura hosh me aane ke baad ye kya karega ?

Suman-ha wo bhi hai, eke k baat hai bhale hi ye pura hosh me aa jaye par fir bhi iska sharir thoda sust hi rahega kuch der

Ek nurse ko waha aniket ke paas ruka kar wo dono chale gaye, adhe ghante baad aniket hosh me aaya aur nurse ne siddharth aur suman ko bula liya aur wo dono waha aa gaye, suman ke awaj dene par aniket ne aankhe kholi aur bola

Aniket-kya sumi tum dono bhi honeymoon par ja rahe ho kya ?

Fir suman use yaad dilate huye boli

Suman- kaha france ?

France sunte hi aniket ko charso challis volt ka jhatka laga ho waise use sab yaad aa gaya aur uske chehre ke haav bhav badalne lage wo ekdum pareshan hote huye bola

Aniket-main..main yaha kaise aaya.? Tum log bhi kahi us rajeshwar ke sath mile huye to nahi ho ? main to container me tha fir main yaha kaise aaya..?

Siddharth aniket ko shant karte huye bola

Siddharth-aniket shant hi jao pehle, tum ab ekdum surakshit ho aur apne gaon me hi ho

Aniket-komal kaha hai ? komal..!! komal..!!

Aniket ka awaj sun ke komal bhagte huye room me aayi aur wo aniket ke gale lag gayi

Komal-chinta mat karo ani main ekdum theek hu aur surakshit hu.. aur tum bhi safe ho ab..

Aniket ne komal ko kas ke gale lagaya tha aur ro raha tha..

Aniket-I am sorry, maaf kar do mujhe galti meri hai..

Tab komal ne use samjhate huye kaha.

Komal-tum pehle shant ho jao, kuch nahi hua hai sab safe hai shant ho jao tum.

Aniket-aur..aur wo halkat rajeshwar...

Aniket bol hi raha tha ke itne me rajeshwar room me aaya aur use dekhte hi aniket ekdum khawal gaya

Aniket- ye neech aadmi yaha kya kar raha hai.

Rajeshwar hase aur bole

Rajeshwar-mujhe thank you bolne ki bajay galiya de rahe ho aniket ? no problem, tum kitni hi galiya de do mujhe uska kuch nahi lagega kyuki tumhare utne upkar hai mujhpar..

Aniket- waah!! Bahut ache !! kya upkar ka badla chukaya hai.. sumi tu kya sun rahi hai jao pehle jakar police ko phone karo aur is aadmi ko ander karwao

Itne me awaj aaya

Raman-sirf unhe nahi mujhe bhi ander dalwana padega.

Raman ander aaya aur use dekhte hi aniket ne komal ko apne paas khich liya aur bola

Aniket-sumi tu police ko phone kar rahi hai ya main karu ?

Par suman apni jagah se nahi hili aura b aniket ka gussa fut pada tha

Aniket-matlab sumi tub hi in logo ke sath mili huyi thi.. sharam nahi aayi tujhe ? aur tum logo ne komal ko bhi pakad liya. ?

Itne me narayanrao aur kaushalya ander aaye aur unhe dekhte hi aniket ka sara gussa gayab ho gaya usne un dono ko bed par baithe baithe hi hug kiya

Aniket-maa babpu, I am sorry maaf kar do mujhe, mujhe ab samajh aa gaya hai ke main nahi reh sakta aapke bagair

Narayanrao aniket ke sar par hath firate huye bole

Narayanrao- hum bhi nahi reh sakte tumhare bagair, ansh hai tum era tere bina kaise rahenge

Sab shant ho gaye the aur aniket ro raha tha, narayanrao ke aankho se bhi aansu tapka

Narayanrao-tu ab aaram kar hum sab yahi hai chinta mat karna

Aniket ab shant ho gaya tha aur ab use sab yaad aane laga tha..

Yash ki shadi ke baad ek din subah narayanrao aur aniket chai pite baithe the tab narayanrao bole

Narayanrao-aniket graduation ab pura ho gaya hai tumhara aba age ka kya socha hai. ?

Aniket-abhi kuch iske bare me socha nahi hai papa

Narayanrao- fir ab tum mera business apne hath me le lo aur mujhe retairment de do

Aniket- kya bapu kuch bhi, abhi aapka market khatam thode hi hua hai, sab bolte hai aap mere bade bhai hai kya..

Narayanrao- faltu bakwas karke baat mat badlo, theek hai main dekh lunga business kam se kam apni maa ko to retairment de de

Aniket- kuch bhi kya bapu, apni budhi thanthanit hai abhi

Kaushalya uske piche hi aakar khadi thi ur ye aniket ko nahi pata tha, kaushalya k eek mukka uski pith me mara aur boli

Kaushalya-kyu re main budhi dikhti hu tujhe..

Tab aniket narayanrao ko dekh kar bola

Aniket-dekha bola tha na ek dum thanthanit, aur aap bol rahe ho retairment de de

Kaushalya-bas hogayi ab tumhari masti ab main sidha sayajirao ke ghar jaungi aur shadi ka muhurat nikalungi aur tumhari shadi ek bar kara di to main marne ke liye free

Aniket- aise kaise, apne pote ki shadi dekhe bagair main kahi jane nahi dunga tumko

Kauhslaya-ha yaha bete ki shadi ka pata nahi hai aur pote ki shadi dikhayega..

Aniket chidh kar bola

Aniket- kya aap logo ko subah subah koi kaam nahi hai kya ? subah subah mere piche hath dho ke lag jate ho main chota hu abhi

Kaushalya- do do prem prakaran karte time nahi dhyan aaya kit u chota hai, tekdi ke karyakram karte time nahi samjha kit u chota hai? Daru pike komal ke ghar me ghuste samay khayal nahi aaya kit u chota hai? Aur shadi ki baat karo to bolta hai ki chota hu main, ab kya maar kha ke manega

Aniket achanak serious ho gaya

Aniket-kya laga rakha hai shadi shadi ? mujhe jab shadi karni hogi karunga mere piche mat pado aur agar jabardasti ki to ghar chhod ke chala jaunga fir baithe rehna

Narayanrao-darwaja udhar hai, sidha nikal jana, bahut sehan kar liya tujhe, kyu nahi karni shadi

Aniket-main kaha keh raha hu nahi karni? Shadi karni hai par abhi nahi

Narayanrao- fir kab?

Aniket-main khud bata dunga

Narayanrao kuch bolte itne me avinash waha aa gaya aur use dekh kar narayanrao bole

Narayanrao-avinash ab tu hi samjha tere dost ko humne to iske saamne hath tek diye hai

Avinash-meri bhi kaha sunta hai wo kaka

Aniket-aye chomde teko kya malum be kis bare me baat ho rahi hai ?

Avinash kandhe udate huye bola

Avinash-kaka kaku sath me baa tar rahe hai matlab teri shadi ke bare me hi baat hoyi aur kya baat honi hai?

Aniket- aaya bada sherlok holmes ki aulad chal kaam hai apne ko

Itna bol ke dono baahar nikal gaye aur aniket bola

Aniket-in dono ne dimag ghuma diya hai yaar, din nikalte hi shuru

Avinash use samjhate huye bola

Avinash-kya galat hai usme? Tumhare relationship ko 3 saal ho gaye hai, dono ke gharwalo ko dikkat nahi hai aur tu kya baccho jaise nakhre kar raha hai be

Aniket-tu nahi samjhega

Avinash- to samjha na

Aniket-bataunga par pehle mujhe abhi komal key aha chhod de

Avinash ne aniket ko komal ke paas chhoda aur wo nikal gaya, aniket aur komal dono tekdi wale Krishna mandir me jakar baith gaye, aniket ekdum shant tha aur ye baat komal ke dhyan me aa gayi

Komal-kya hua, aaj bhi shadi ki baat huyi hai

Aniket chidh kar bola

Aniket-ab tum mat shuru ho jana, pehle hi dimag garam hai

Komal-maine kaha kuch bola hai? Maine to bas pucha hai ki ghar par kuch baat huyi kya

Aniket-kau yaar kuch samajh nahi aa raha ki kya karu? Maa bapu kamthe kya jo ab avi bhi shuru ho gaya hai, koi mujhe samajh ke nahi leta

Komal-main hu na tumhe samajh ne ke liye bolo kya hua hai?

Aniket-wahi hamesha ka shadi kar le.

Komal-to karo na

Aniket-aise kaise karu?

Komal-kaise matlab sab karte hai waise

Aniket kau yaar ab kaise samjhau tumhe

Komal-kuch problem hai kya?

Aniket-nahi

Komal-fir kya dikkat hai aaj na kal shadi to karni hi hai

Aniket chidh ke bola

Aniket-mujhe abhi nahi karni hai

Komal-ani gussa mat hona par mujhe batao ki shadi ki baat aate hi tum chidh kyu jate ho?

Aniket-main kaha chidhta hu

Komal-yahi baat tum ache se bhi bata sakte the aaj mujhe saaf saaf batao tumhe shadi karni hai ya nahi

Aniket komal ke dono hath hath me lete huye bola

Aniket-shadi to karni hai, tumse hi karni hai par abhi nahi

Komal-fir kya budha hone ke baad karni hai? Maine aaj tak nahi kaha par mujhe bhi gharwale, rishtedar puchte hai ki jab sab fix hai to shadi me deri kyu

Aniket-kau shadi ek avismarniya ghatna hai mere jindagi ki aur wo itni asani se ho rahi hai, isiliye mujhe sahi nahi lag raha

Komal-main samjhi nahi tum kya kehna chah rahe ho?

Aniket-ab kaise batau yaar tumhe, ab yash ki shadi huyi, kitne lafde huye usme, suman ki shadi, solid maja aaya usme par hamara kya? Kuch nahi, itna plane ki isme kuch bhi happening nahi hai, aisa kuch thrilling chahiyie tab maja aayega shadi me, kuch excitement chahiye

Komal-tumhara dimag ghum gaya hai kya? Ye kya bate leke baithe ho, arey jab sab ache se ho raha hai to tumhe uski value hi nahi hai, such gale me mala pehnanae aa raha hai aur tumhe excitement ki padi hai, tum jo bol rahe ho tumhari samajh me aa raha hai?

Aniket-wahi to samjha raha hu sabko par koi samajhne ko tayar hi nahi hai, aise sidhe sidhe shadi me kya maja hai yaar, shadi kaisi dhamakedar chahiye

Komal-matlab tum shadi maje ke liye kar rahe ho pyaar ke liye nahi..

Aniket-nahi kau main bahut pyaar karta hu tumse, shadi bhi karenge par usme kuch excitement honi chahiye

Komal-aur agar tumhe excitement nahi mili aur mere gharwalo ne meri shadi kahi aur kar di to?

Aniket ekdum tali bajake bola

Aniket- ek number, agar aisa hua to tumhe shadi ke mandap se utha launga, kya jabardast hoga na wo? Shit yaar meko ye idea pehle kyu nahi aaya, isme maja aayega

Komal-tum paagal ho gaye ho, tumhe khud samajh nahi aa raha hai ke tum kya kar rahe ho, tum aise nahi the ye dimag me kya bhara hua hai? Kaunsi excitement ke piche bhag rahe ho?ab tak jo hua kam excitement wala tha kya? Shravni, daru pike propose karna, papa ke hath ka maar khana, ye sab kam eximent wala tha kya

Aniket-wahi to jab sab itna sahi hua hai to shadi me kitni excitement honi chahiye

Komal-tumhara dimag kharab ho gaya hai, tumhe bas apni excitement ki padi hai na mere pyaar ki chinta hai na maa papa ki khushi ki, itna dhtyan me rakho ki is paagalpan me tum saamne aati khushi ko dur kar rahe ho, dhaga itna bhi mat tano ki to tut jaye, hath se samay nikal jaye to fir rote rehna apni excitement ji lekar

Itna bol ke komal waha se chali gayi, aniket ne use awaj deke rokne ki koshish ki par wo nahi runi aur aniket aasman ki taraf dekh ke bola

Aniket-bhagwan, hai koi is dharti par jo mujhe meri bhavnao ko samjhega.
 

[color=rgb(184,]Update 47[/color]


Aniket jab wapis hosh me aaya tab wo hospital me hi tha, suman aur siddharth ne aakar aniket ko sahise check kiyaaur fir suman hasi aur aniket se boli

Suman- chal ye nautanki uth kuch nahi hua hai tujhe, teri body bilkul sahi kaam kar rahi hai dmag ka pata nahi

Aniket- thank you suman

Aniket ke thank you bolte hi suman ne pat se sthethoscope kaan ko lagaya aur aniket ko check karne lagi

Suman- iski wapis se tabiyat kharab ho gayi hai lagta hai, isne mujhe sumi ji jagah suman kaha aur uper se thank you bhi bola

Aniket hasa aura age bola

Aniket- sab bate baad me pehle mujhe batao mujhe us container se baahar kisne nikala pehle mujhe use thank you bolne ka hai

Suman- tune just abhi abhi use thank you bola hai

Aniket- matlab tumne chudaya mujhe ?

Suman- haa!! Matlab atkaya bhi maine hi tha to chudaungi bhi main hi na

Aniket- kya. ??? ye sab tune kiya tha ?? par kyu ??

Suman- matlab directly nahi kiya tha karwaya tha.. tumhe excitement chahiye thin a, to ab jara sabra karo sab pata chalega

Fir suman siddharth se boli

Suman- chalo ab jab ye sudhar hi gaya hai to ise pura hi sudhar dete hai sid ise aur bhi logo ko thank you bolna hoga na, unhe bula lo

Siddharth suman ki baat pe muskuraya aur baahar jakar usne sab ko ander bulaya, to rajeshwar raman aur wo guard ander aaye unhe dekh ke aniket bola

Aniket- ye bhi tumhare plan me shamil the kya ? ye log to mujhe france bhej rahe the..

Rajeshwar- galat bilkul galat.. hamne bas tumhe bataya tha ke tumhe france bhej rahe hai par bheja nahi..

Aniket- jab bhejna hi nahi tha to fir ye sab kiya hi kyu ?

Rajeshwar- maine kaha than a tumhara mere uper ek upkar hai to ab suno wo kya hai, ha ye sach hai ki raman us din maar khane ke baad jab ghar aaya to uske baad wo hafta bhar ghar me hi tha par ek baat bahut achi huyi thi , raman us din se badal gaya tha, use uski galti samajh aa gayi thi apni galti ka ehsaas ho gaya tha usne sari galat sangat chhod di thi, saaf bhasa me kahu to uska paiso ka ghamand utar gaya tha, us ghatna ne use ander se jhakjhor diya tha aur wo sahi raste par aa gaya tha, usne gaon chhoda dusre shahar jakar padhne laga aura b to aage ki padhai ke liye wo videsh jane ka soch raha hai, komal ki wajah se aur tumhari wajah se mera beta sahi raste par aa gaya hai, tumhara ehsaan kaise mano samajh nahi aa raha.

Rajeshwar ki baat sunkar aniket ne sar par hath maar liya aur bola

Aniket- waah! Shabass! To aise mana hai aapne ehsaan, is sab me mujhe kuch ho jata to, jaan chali jati to ?

Jispar suman ne haskar kaha

Suman- aisa ho ti nahi sakta tha, aise kaise jaan chali jati ? ek docter humne tumhare liye waha rakh rakha than a to tumhe kuch kaise hota..

Wo guard muskura raha tha, suman fir uski pehchan karate huye boli

Suman- to ye jinhe tum guard samajh rahe ho ye hai docter rajesh, waise to docter hai par actor banne ka shauk hai, natak wagair me bhi kaam karte hai aur inki acting ka jalwa to tumne dekh hi liya hai, aur ha wo jo tumhe inhone ajeeb sa pani pilaya than a wo actually protein vitamin aur glucose ka mix tha, hame bas tumhara dimag sahi jagah lana tha aur sharir ki dekh bhal hum kar hi rahe the bas tumhe is bare me pata nahi tha aur jis hisab se tumhe bagair pata chale Ramesh ne tumhe injection diya hai tum ye bhi samajh gaye honge ki ye kitne badhiya docter hai..

Aniket- arey par mujhe itne din kaha lekar gaye the, aur mujhe to samundar ka bhi awaj aa raha tha..

Ab siddharth haste huye bola

Siddharth- itne din ? arey sirf do dino me tumhari ye haalat huyi hai aur tum sirf ek ghante ke liye behosh the aur tumhe yaha ke hi farm house par rakha gaya tha aur samundar ka awaj tape par baj raha tha taki tumhe lage ki ha ye sab sach me ho raha hai aur tum is natak ko na pakdo, Ramesh me jaan bujh kar tumhe sunai de aise bola tha ke tum do dino se behosh ho aur tumne wo maan liya

Aniket- kaamal karte ho tum log, aur ye jaroor us dus dimag wale tavan ke hi dimag ki upaj hogi, kidhar hai wo harami ?

Ab komal aur avinash ander aaye.

Avinash- ye dekh main pehle hi bol raha hu main sirf shamil tha aur teko uthana aur farm house par chhodna itna hi kaam tha mera bas..

Aniket-nalayak aadmi meri kya halat huyi malum hai kya ?

Avinash- shukar mana main waha nai tha agar main raman ki jagah hota na to aisa fodta teko, tera naseeb ke ye role mujhe nahi mila, telo excitement ke kutte ne kata than a, tu kisi ki koi baat sunne ko tayar hi nahi tha..

Aniket- avi tu hi mera saccha dost hai re, meri excitement puri karne ke liye kiya na tune ye

Avinash- nahi, kaisa hai na tu ekdum bhayankar hushar hai hamara koi bhi plan tu jaldi pehchan leta isiliye mian jab is bare me soch raha tha tab FB me meko raman dikha aur mere dimag me idea aaya, raman ke paas solid reason tha teko maarne ka aur tere ye kabhi dhyan me bhi nahi aata ki ye hamara plan hai par isme risk tha, teko kuch ho jata to isiliye suman aur sid ko bhi shamil kiya isme aur ab baki ka plan teko hamare director sahab batayenge..

Aniket ab ye soch hi raha tha ke ab ye director kaun aa gaya itne me yash aur priya haste huye ander aaye

Yash-teko kya laga tu akela hi game kar sakta hai, abe thoda dimag bhagwan ne hame bhi diya hai..

Aniket-teri hi kami thi bhai, ek to teri shadi karwayi aur tune meri hi game kar di

Yash-ab kya kare wo kahawat hai na, lato ke bhut bato se nahi maante yas wo bhut hai tu, avi ne sab sari baat batayi tab maine aur priya ne ye sab planning kiya

Fir priya bolne lagi

Priya-tumhe lag raha hoga ki ye sab humne tumhari excitement ke liye kiya hai to tum murkh ho, hamne ye sab tumhe ye samjhane ke liye kiya hai ki jindagi me masti maja jaruri hai par usse kisi ko takleef nahi honi chahiye, aur jab khushiya darwaje par fdastak de to unka aanand lena chahiye na ki unhe taal kar murkhta ka pradarshan karna chahiye, kyuki kal kya hoga koi nahi jaanta, kal kal karte huye life kab hath se nikal jayegi pata bhi nahi chalega, isiliye life ki taraf hoda seriously dekhna tuhme sikhana ha, shadi yani koi maja masti nahi hai, do pariwaro ka aatmao ka Milan hai, ye koi event nahi hai jo dhamakedar hona chahiye, shadi ek jimedari hai ekdusre ko sambhalne ki, sirf apne such ki chinta na karke apne jivansathi ke man aur iccha ka samman karne ki, shadi baccho ka khel nahi hai na hi koi dikhawa hai samaj ko dikhane ke liye, kya kuch samajh aa raha hai ? ya bheje tumhe france?

Aniket hath jodte huye bola

Aniket-nahi mata samajh gaya main, ye baat jindagi bhar yaad rahegi ab, maa bapu kidhar hai unko bolo agar wo bole to main abhi ke abhi shadi karne ko tayar hu

Ab narayanrao kaushalya aur sayajirao ander aaye

Narayanrao- pakka na palte ga to nahi ?

Aniket-bilkul nahi aur tumne shadi na karwayi to kal isko bhaga ke mandir main shadi kar lunga..

Ab sayajirao haste huye bole

Sayajirao- ye sach hai ke sahdi to kal hi hogi par mandir me nahi yahi hogi, in baccho ne sari tayari kar li hai, marriage hall book hai cards bat gaye haipar ek problem hai, dulhe ke kapde reh gaye bas..

Aniket- aniket ekdum khush ho gaya, matlab use yakin nahi ho raha tha ke ye sab ho gaya hai fir bhi wo komal se bola

Aniket-kammo mere se shadi karni hai ke kapdo se, nahi ab ek pal bhi waste nahi karna hai, jarurat padi to lungi baniyan pe shadi kar lunga main to ab

Priya- uski koi jarurat nahi hai hame pata tha isiliye hamne sari kharidari kar li hai

Suman-aur hatele ani ki baarat hospital se hi niklegi.




[color=rgb(41,]Vishesh amantran

Bhagwan maruti ki kripa se hamare vaanar ki shadi uske shobhe aise sunder kanya se kal hone wali hai aur is vaanar ki baarat kal hospital se hi niklegi to aap sabhi se nivedan hai ke kal 7 baje shadi ke liye padhare

Swagatotsuk

Narayanrao rane
Kaushalya rane
Sayajirao patil

Aur jisse in logo ne bulaya nahi hai fir bhi sabse pehle aane wala
[/color]
[color=rgb(41,]Adirshi[/color]
 

[color=rgb(184,]Update 48[/color]


Aniket ki shadi thi koi sadhi ghatna nahi thi, yash aur avinash ne mil ke akkhe gaon me patrika bati thi aur to aur college ke notice board par bhi cipka di thi taki sab ko ye baat pata chale ki aniket ki shadi hai isse akkhe college ko bhi is sadi ki khabar ho gayi thi aur sabhi log shadi me aane ke liye utsuk the, aniket ki baarat bhi top hatele tarike se hospital se nikalne wali thi to mashish bhai ne apni gadi nikali aur DARK WOLFKING Chinturocky ragish7357 ko leke sidhe hospital pahuche Mr.Marlega AverageNB waha pehle hi pahuch gaye the, yash aur avinash aniket ke kapde leke waha pahuche, hospital me sirf awaj hi awaj tha only kalla danga macha hua tha

Itne sab shor se siddharth pareshan ho gaya aur wo sabko shant karte huye bola

Siddharth-arey se sab kya chal raha hai tum logo ka ? hospital hai ye aurshadi sham me hai tum kya subah subah hi aa gaye ho ?

Tab chintu bhai aage aake bole

Chinturocky- ye baat aadi se pucho docter, usne 7 baje ka bola par ye nahi bataya ke subah ke 7 ya sham ke 7 isiliye hum log aa gaye hamari koi galti nahi hai isme

Siddharth-ruko usko call karta hu abhi

Aur fir siddharth me adi ko call lagaya (par iske paas mera number kaise aaya
1f914.png
kaun leak kiya mera number
cold.gif
)

Siddharth-adi teko kuch akkal hai ya nahi hai, aur adha message kya deta hai be, ye sare log is vanar ke liye hospital me aa gaye hai aur bas dhingana macha hua hai, tu pehle idhar aa aur samjha sab ko

Adi- maine kaha adha messhage diya be aur jinko sirf shadi me aana hai wo sham ko aayenge ye to khas dost hai, par tu chinta mat kar meri canteen walo se baat ho gayi hai sabko udhar bhej de..

Fir siddharth ne phone cut kiya aur sabse bola

Siddharth-aap logo ko job hi masti Karni hai canteen me jake kari aur ye apne dulhe ko bhi le jao sath me..

Fir kyat ha sabne aniket ko kandhe par uthaya aur morcha nachte huye nikla canteen ki taraf

Ab waha ashish_1982_in bhai bhi pahuch gaye aur apne sath aate aate ek saloon wale ko bhi utha laye taki wo dadhi wagaira sab set karde aniket ki, an aniket bhi badhia dadhi cutting karwa se sahi dikh raha tha aura b dulhe ki tayari ke sath sath majak masti bhi shuru thi

Leon32- ani excitement mila ke aur chahiye
icon10.gif


Aniket-O bhai main pair padta hu aapke wo baat mat nikalo yaar, ab to sari jindagi ka sabak mil gaya hai, ab aur koi excitement nahi chahiye

Idhar avinash ne sabko apne apne kaam baat diye the.. Nevil singh aur 11 ster fan shadi ki sari tayariya dekh rahe the aur SANJU ( V. R. ) bhai unke kaam ko supervise kar rahe the

Idhar marriage hall me bhi dhum dham shuru thi komal ki sari saheliya use gher ke baithi thi aur sath me thi Mahi Maurya ji, komal ko badhiya sajaya ja raha tha aur sath hi chedkhani bhi chal rahi thi

Mahi-aaj to komal ko aise tayar karenge ki aniket ki wicket gir jani chahiye.

Dusri taraf aniket bhi badhiya tari se ready ho gaya tha, uske ek badhiya jari ke wrok wali sherwani pehni thi aur sar pe feta pairo me mojdi, gale me ek sunder ka pehdal aur motiyo ki mala, aur ek resham ka dupatta sherwani me uper lekar dulhe babu tayar ho gaye the aur narayanrao sabko jaldi karne ka bol rahe the, avinash aur yash ne jab aniket ko dekha to dekhte hi reh gaye aur avinash jake uske gale lag gaya, aniket ko is taraf se dulhe ki poshakh me dekh kar yash aur avi ki aankho me khushi ke aasu aa gaye, dono ne aniket ko apne kandhe par uthaya aur baahar leke aaye, baahar band baja aur ek sunder safed ghoda tayar tha.

Aur ab nikli aniket ki baarat, ab baarat nikle to nagin dance to hona hi tha
icon10.gif
uske bagair baarat aage kaha badhne wali thi Mr. Nobody aalu Vikram Bhosle Dkumar sab badhiya band ke sath nachne ka maja le rahe the band wale baja baja baja ke pasina pasina ho gaye the par koi ruk hi nahi raha tha aur in sab me bhi ekbanda thoda piche chal raha tha aur wo the apne Lovingheart kya hai na bhai thoda kidnaping wale kand se naraj tha wo piche piche tha par dhyan rakh raha tha ke koi gadbad na ho..

Yash aur avinash ko to kisi chiz ka dhyan hi nahi tha aur fir aaya is desh ka nation shadi band wala gana 'ye desh hai veer jawano ka' aur uske baad jo baarat me dhamal huyi wo shabdo me vyakt nahi ki ja sakti yash aur avi ne narayanrao se kaha ke kaka aaj to eklaute bete ki shadi hai jalwa to dikhana padega fir kya narayanrao ke aisa jalwa dikhaya ke sab log bas unhe cheer kar rahe the

Akkha gaon baarat dekhne aaya tha aur apne pitaji ko istarah nachte dekh aniket bhi has raha tha..

Dekhte dekhte samay nikal raha tha aur baarat abhi adhe raste me bhi nahi pahuchi thi aur fir jab narayanrao ne gadbad jki tab jakar ye log marriage hall tak pahuche

Aur fir jo log marriage hall me the wo bhi nachne me shamil ho gaye jinme the hamare bade bhai nain11ster Naina Moon Light A-Star

Aniket ke ghodi se utarne ke baad sabhi log use badhiya stage tak le gaye..

Udhar komal tayar ho gayi thi aur uski sari saheliya use bata rahi thi ke aniket kitna smart dikh raha hai aur aniket ke bare me sun kar komal ke dil ki dhadkan badh gayi thi aur jab priya ne komal ko dekha to wo boli

Priya- kya baat hai komal, aaj to tera alag hi roop nikhar aaya hai..

Priya ki baat sunkar komal sharma gayi

Idhar aniket stage me pahuch chukka tha aur komal ko dekhne ke liye utawala ho raha tha aur uski najar idhar udhar ghum rahi thi tab avinash bola

avinash-jara sabar kar le bhai wo aahi rahi hai aise dhundh kya raha ai

Aniket-arey wo to aayegi hi par apna khasam khas jigli dost nahi aaya abhi

Fir avinash ne idhar udhar dekha aur bola

Avinash-wo dekh wo aa gaya, shaitan ka naam liya aur shaitan hajir

Ek ladka badhiya blue color ka kurta pehne waha aa raha tha badhioya raubdar muche pair me mojdi mathe me tilak wo haste huye aniket ke paas aaya aur aniket ne use gale laga liya

Use dekh ke Lovingheart ne apne paas khade bande se pucha

Lovingheart- ye kaun hai? Pehleto nahi dekha isko

Fir us bande ne 11 ster fan se pucha wo unhone bhi mana kar diya ki nahi jaante

Baad ne ladka avinash se mila aur avinash ne uski pehchan yash se karayi aur jaise hi yash ne uska naam jana yash sab se bola

Yash-arey bhailog yahi hai wo adi, isilne itna sataya hai apne ani aur komal ko

Bas itna sunna tha ke sabhi log adi ke paas pahuche aur maskhari me hi use pmaarne lage jinme sabse aage apne Lovingheart bhai the (bahut mara be kidnaping wale kand ke liye
loadstears.gif
)

Adi- abe chhodo be

Ab bhale hi shravni aniket ki ex thi par shadi ka card use bhi diya tha, (bhedbhav nahi karta apun) wo bhi shadi me aayi thi aur sabko adi ko maarta dekh wo bhi chillayi

Shravni-maro isko mera naam kharab kiya hai pura kisi ko bhi naam batao to gobar bolke hasta hai wo

Sab has rahe the ha kuch notable members bhi the jo is sab ka maja dekh rahe the Naik Rahul Ajay Ramesh628 Vk248517 Rudrathakur DAIVIK-RAJ aur Ass_hish wo to bas raah dekh raha tha ke khana kab shuru hoga, ek aur banda tha jo kisi ke najar me nahi aaya par apna dhyan tha uspe Jaguaar bhai.

Itne me yash ne aniket ko apne taraf ghuma liya aur bola

Yash-anya aaj to beta gaya tu, komal aa rahi hai

Aniket ghumne wala tha par yash ne use ghumne nahi diya

Yash-arey itni asani se nahi barkhurdar, jara sabra karo wo paas aa jaye fir ghumna matlab dono pe eksath bijli gire

Komal dheere dheere eke k kadam chalte huye aniket ke paas aayi, wo bhi betab thi aniket ko is tarah dekhne ke liye, uske kareeb aate hi aniket ghuma, dono ki najre mili, aaju baju calta hua sara awaj mano unke liye tham gaya ho, us pal me sirf wo dono hi the, komal ke liye bas waha aniket tha aur aniket ke liye komal

Komal ne ek laal ghagra pehna hua tha aur usme wo kamaal lag rahe thi, sar par transparent ghunghat liya hua tha aur aniket man hi man soch raha tha ke acha hua ghunghat me se dekh raha hu direct dekhta to najane kya hota, komal ko dekh ke aisa lag raha tha mano koi rajkumari aayi ho, uski naak me phni huyi nath to jaanleva lag rahi thi hath me laal chuda, halka sa makeup kano ke jhumke, wo itni sunder lag rahi thi ke aniket ko lag raha tha ke komal hi hai ya koirajkanya jo swarg se sidha uske liye dharti par aayi hai, aniket use dekha hi raha aur komal ka bhi haal waisa hi tha, dono sabkuch bhul ke ekdusre ko dekh rahe the tab Naina ne unhe hila kar hosh me laya

Naina - arey tumhari hi komal hai wo ab use dekhte hi rahoge ka shadi bhi karoge shadi kar lo fir jindagi bhag dekhte rehna..

Shadi ki rasme shuru huyi par dono ka usme dhyan kaha tha, chori cori ekdusre ko dekhna shuru hi tha.. saptapadi(phere) ke samay jab komal ne aniket ke hath me apna hath diya to unki Jodi dekh ke sayajirao aur sangeeta ki aankho me pani bhar aaya, such aur dukh ka ek milajula pal tha wo

nain11ster aur bhai ne mangalastak gaye aur aniket aur komal agni ki sakshi me shadi ke pavitra bandhan me hamesha hamesha ke liye band gaye, kaushalya ki to khushi ka koi thikana hi nahi tha aaj..

Jaymala hone ke baad fir shuru hua khane ka karyakram (ab jisko jo jo pasand hai imagine kar lene ka wo sab tha shadi me
icon10.gif
) aur kam aniket aur komal khana khane baithe tab sab ne aniket ko komal ke lie kuch kehne ko kaha tab aniket bola



Aniket- pyaar ki har raah par tum ho sath
To aa jayegi is jivan me rangat
Nahi chahiye koi excitement na koi thrill

Jivan ke har mod me chahiye teri sangat.....
 
Fir kya tha sabne aniket ko kandhe par uthaya..... aur ram naam satya ka naare lagate hue mandap mein laa ke patak diya.... lo pandit ab shradh pura karo....

Aur ab nikli aniket ki baarat, ab baarat nikle to nagin dance to hona hi tha
icon10.gif
uske bagair baarat aage kaha badhne wali thi Mr. Nobody aalu Vikram Bhosle Dkumar.....
aai.. aiia ai... dhayn se aalu pichak jayega,,,,, are rayte ke liye bacha ke rakhho....

aaj to eklaute bete ki shadi hai jalwa to dikhana padega fir kya narayanrao ke aisa jalwa dikhaya ke sab log bas unhe cheer kar rahe the..... are nahin re bawa sara niche ka jalwa dikh raha hain,,, o kaka,,, sambhal kee ladies logis bhi hain idhar...

Aur fir jo log marriage hall me the wo bhi nachne me shamil ho gaye jinme the hamare bade bhai nain11ster Naina Moon Light A-Star...... haan coca cola aur pepsi barobar se namak daal ke dene ka thora teekha mangta in logo ko.....

aniket ke bare me sun kar komal ke dil ki dhadkan badh gayi.... laundiya bp kee patient toh na hain re pehlu hi check karwa le...

Yash-arey bhailog yahi hai wo adi, isilne itna sataya hai apne ani aur komal ko..... ee tu pair pakar haan pichhu se,,, haath daal haan nichu se.... haan ha haan ab patak... bahut bhankas karta hain... bahut pakaila hain,,, daat tor,,, aage ke saare... bas haath sahi salamt chhor dena aage bhi story likhne hai isko re....
 

Similar threads

S
Replies
64
Views
188
StoryPublisher
S
S
Replies
379
Views
744
StoryPublisher
S
S
Replies
25
Views
95
StoryPublisher
S
S
Replies
29
Views
84
StoryPublisher
S
S
Replies
64
Views
180
StoryPublisher
S
Back
Top