• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

मैं और मेरा गाँव complete

  • Thread starter Thread starter StoryPublisher
  • Start date Start date
//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg Update 101 //cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg

Subah uthkar main office ke liye tyaar ho gaya.Komal niche thi.Main fatafat ready hokar niche chala aya.Aaj ek important meeting hai.Main niche akar dekha toh bua pandit ke sath baat kar rahi thi.Main bhi jakar Komal ke pas beth gaya.

Sonali Bua- Panditji meri beti ki ghod barai ke liye ek tarikh nikalwana tha.Achi tarikh nikalna.

Pandit- Abhi nikalke deta hoon.Hamare gaon ki thakurain hai.

Iss baat par main Komal ke taraf dekha.Woh toh khush lagh rahi thi.

Main- Kya huya thakurain ji muskura kyu rahi ho.

Komal- Woh thakur saab kya hai na jabh thakurain kaha na tabh mujhe hasi a gayi.

Main- Are iss mein hasi ka kya baat hai.Aab aap hi toh iss gaon ki thakurain hai.

Komal- Aur aapki mann ki?

Iss baat par main thoda rukh gaya.Kya kehna chahti hai.Achanak yeh sawal kyu puchi.Haan shayed iss ko patah laghani hai ki mere mann mein Pari hai ki nahi.Mere dil ke ek kone mein toh Pari thi.Par main woh batana nahi chahta tha.Main halki si muskurate huye bola.

Main- Sirf aap hi ho.

Komal kuch kehni jahi rahi thi ki pandit bol padah.

Pandit- Ji mil gaya.2 din baad ki din shubh hai.

Sonali Bua- Are wah yeh toh achi baat hai.

Phir bua ne 1000 rupees diya pandit ko.Pandit bahot khush ho gaye.Phir pandit chale gaye.Unko ghod barai ke din ki invitition diya.Uss din ek havan bhi hoga.

Sonali Bua- Kaal nikal kar porso ghod barai hai.Bahot kaam hai.Logon ko niyota bhi dena hai.Kaise hoga itne sare kaam.

Main- Maa aap pareshan kyu hoti hai.Munimji gaon walon ko niyota de denge aur rahi baat tyaari ki main hoon na.Main sabh sambhal lunga.

Sonali Bua- Phit bhi beta kaise hoga.Main aaj se hi kaam shuru kar deta hoon.Kamla jara mere kamre mein ana.

Bua chali gayi.Main aur Komal unki harkat dekh kar toh shocked ho gaye.

Komal- Maa bhi na.

Main- Are yaar karne do.Maa ka pyaar hai.

Tabhi Divya bua ka phone ayi.Komal ne phone loud speaker mein dal diya.

Komal- Ji mami.

Divya Bua- Kaisi hai meri beti.

Komal- Main toh thik hoon.Aap bolo aap kaisi hai.

Divya Bua- Main bhi thik hoon.

Komal- Aapko aur Kajol bua ko invite karna tha.

Divya Bua- Kis liye.

Komal- Thodi sharmate huye...Woh meri ghod barai honewala hai.

Divya Bua- Are wah.Yeh toh bahot badiya hai.Kis din hai.

Komal- Porso.

Divya Bua- Thik hai.Hum chale ayenge.

Komal- Yaad rakhiyega.Aapka aur Kajol bua ka full family ana chahiye.Nahi toh main naraz ho jaungi.

Divya Bua- Ale meri bachchi.Hum jorur ayenge.

Phir woh dono kuch der aise hi baat karte rahe.Main nashta karne lagah.Jabh unka baat karna khatam huya tabh mera bhi khana ho gaya.

Komal- Main bahot khush hoon.Sabh ayenge.

Main- Pehle toh mujhe nahi lagah ki ayenge.

Komal- Meri baat kabhi nahi talte mami.

Main- Hmm.

Phir maine munimji ko call kiya.

Munimji- Boliye Malik.

Main- Suniye porso Komal ka ghod barai ka ceremony hai.Toh aap pura gaon ko niyota de dijiye.Haan khana banane walon ko aur tent walon ko bhi bol dijiyega.Kaal hi yeh sabh kuch ho jana chahiye.Thik hai.

Munimji- Aap fikar maat kariye malik.Main sabh sambhal lunga.

Phir main phone rakh diya.

Main- Chalo maa ka kuch tension toh mita diya.

Phir main office ke liye nikal gaya.Office mein jakar kaam karne lagah.Phir main meeting attend karne ke liye conference room mein chala gaya.Meeting khatam karte karte dopeher ho gaya.Dopeher ka lunch karke main phirse kamo mein lagh gaya.Phir main factory mein chala gaya kaam dekhne ke liye.Sabh kuch acha chal raha tha.Yeh sabh karte karte sham ho gaya.Main bahot thak gaya tha aaj.Phir main ghar a gaya.Ghar mein akar dekha toh tent walon ne kaam shuru kar diya tha.Haveli ko saja raha tha.Light lagah rahe the charo taraf.Ghar ke samne bahot sare car khada dikhai diya.Aab kyon a gaya.Main andar jakar dekha toh main shocked ho gaya.Dono bua hall mein bethi huyi thi Komal ko lekar.Sonali bua yaha se waha bhag rahi thi.Sara ghar ko pocha lagah rahi thi.Main jakar dono bua ke samne khada ho gaya.Main dono bua ki paon chuya.Woh dono mujhe ashirvaad bhi diya.Yeh mere liye shocked tha.Lekin woh mere se baat nahi kari.

Main- Uncle nahi aye.

Kajol Bua- Jija aur woh ghod barai ke din ayenge.

Main aur Kuch nahi kahan bas aapne kamre mein a gaya fresh hone ke liye.Kamre mein akar dekha Sahil meri punching bag mein punch mar raha tha.Lekin punching bag hil bhi nahi raha tha.Main uske pas jakar bola.

Main- Yeh kya kar rahe ho.

Sahil- Bhaiya main fight kar raha hoon.

Main- Yeh kaisa fight kar rahahe ho hila bhi nahi pa rahe ho.

Sahil- Abhi hilata hoon.

Woh punch marne lagah.Phir bhi nahi hila.Main haste huye kahan.

Main- Tum continue karo.

Main fresh hone ke liye andar ghus gaya.Fresh hokar bahar aya toh woh abhi bhi punch mar raha tha.Woh bahot thak gaya tha.Main samne jakar bola.

Main- Main try karoon.

Sahil hanfte huye bola.

Sahil- Aap karo main beth gaya.

Woh beth gaya.Main ek do puch mar kar hila diya.

Sahil- Main itne der tak mar raha hoon phir bhi nahi hila.Aap ne do mein hi hila diya.

Main- Sirf takat se sabh kuch nahi kar sakte.Thoda technic bhi chahiye.

Sahil- Mujhe sikhaiye naa.

Main- Abhi toh bhuk lagah hai.Baad mein abhi chalo kuch kha lete hai.

Phir main aur Sahil niche a gaya.Divya bua sofe mein bethkar Komal ke sath baat kar rahi thi.Kajol bua shayed bahar gaye the.Main jakar table mein beth gaya.

Main- Bua Aruna aur Aakash nahi aye.

Bua mere taraf na dekh kar boli.

Divya Bua- Aakash aapni doston ke sath ghumne gaya hai aur Aruna America gayi hai padhne ke liye.

Mujhe bahot bhura lagah aisa bolne ke liye.Maine kuch nahi kaha.Komal uthkar aya aur mujhe khane ke liye diya aur mere pas beth gayi.Divya bua kamre mein chali gayi.

Sahil mere sath bethkar nashta kar raha tha.Woh bhukhad ki tarah kha raha tha.

Main- Kya huya tum aisaa kyu kha rahe ho.

Sahil- Bhai bahot bhuk lagah hai.Punching bag mein ghusa mar marke.

Main aur Komal has padah.Phir main khana khatam kiya aur bahar chala gaya arrangement dekhne ke liye.Main sabh kuch dekhne lagah aur madat bhi karne lagah.Tent bhi lagh gaya tha.Bahot achi tarah se lagaya tha.Yaha par gaon walon ko khana diya jayega aur ghar ke andar ceremony hoga.Raat bhi ho chuka hai.Light jalane par sara haveli chamakne lagah.Aisa lagh raha hai jaise shaadi ho.

Phir main aur Sahil bethkar baate karne lagah aur Komal aur dono bua aapne kamre mein baate karne lageh.Sonali bua ke paon toh hawa mein chal rahe the.Woh yaha se waha bhag rahe the.Patah nahi kya kar rahi hai.Phir hum sabhne milkar khana khaye.Khana khakar sabh aapne aapne kamre mein chale gaye.Main abhi bas leta hi tha ki Sahil a gaya.

Sahil- Bhaiya mujhe sikhao naa.

Main- Are yaar aaj main thak gaya.Kaal subah sikha dunga.

Sahil- Aapne kahan tha sikhayenge.

Main- Main thak gaya.Kaal subah uthna main sikha dunga.

Komal- Sahil bhaiya thak gaye hai.Kaal tumhe jo bhi sikhana hai sikha denge.Jao sou jao.

Sahil- Ok didi.

Oo jaa hi raha tha ki phirse bola.

Sahil- Oh sorry aap toh aab bhabi ho.

Phir woh bhag gaya.Main aur Komal has padah.Phir main aur Komal sou gaye.
 
Update 102

"GHOD BARAI CEREMONY PART-1"

Ghod barai ka rasam toh sham ko shuru hoga.Hum subah subah uthkar sara intezam dekhne lageh.Pura haveli ko achi tarah se sajaya gaya.Pura haveli aisa lagh raha hai jaise kisi ka shaadi ho.Har taraf sirf rounak hi rounak hai.Hum sabh beth kar nashta karne lageh aur sabh bua ghod barai ke baat karne lageh.Mere pas Komal bethi huyi thi.Tabhi dono uncle bhi a gaye.Maine dono uncle ki pair chuye.Jabh Komal jhukne wali thi toh Aakash uncle ne rokte huye bola.

Aakash uncle- Are beti yeh kya kar rahi ho.Iss halat mein jhukna nahi chahiye.

Sameer uncle- Haan Komal beta.

Komal un dono ke pas beth gaye.Sabh hall mein bethkar baate karne lageh.Main sirf waha par khada raha.Tabhi munimji bhaghte huye mere pas aye.Main unko hanfte huye dekha toh pucha.

Main- Kya huya aap aisa hanf kyu rahe hai.

Munimji- Woh kuch baat karna tha.

Unka ghabraya huya shakal dekh kar mujhe kuch gadbad lagah.Main unko lekar bahar a gaya.

Main- Aab bataiye kya baat hai.

Munimji- Woh malik factory ke workers ne kaam karna band kar diya.

Main- Kyu?

Munimji- Woh unka kehna hai ki unko bonus chahiye.

Main- Par humne toh bonus de diya tha na.

Munimji- Haan.Woh logh aur mang rahe hai.

Main- Yeh kya bahuda baat hai.Unka bonus mil gaya hai toh phirse kis liye bonus chahiye.

Munimji- Malik woh logh hamare mojburi ka faida utha rahe hai.Hame bahot bada deal mila hai na.Isliye woh faida utha raha hai.

Mujhe toh itna ghussa a raha tha ki kya bataun.Yaha Komal ki ghod barai.Waha factory workers ki behuda blackmail.

Main- Chaliye dekhte hai.

Maine Sahil ko bulaya jo bahar betha huya tha.Woh jabh mere samne ayaya toh maine bola.

Main- Sahil tum sabh ko jakar kahon ki main factory ja raha hoon.Thik hai.

Sahil- Ok bhaiya.

Phir main aur munimji nikal padeh factory ke liye.Main piche betha huya tha aur soch raha tha ki kya karoon.Tabhi Komal ki phone aya.

Main- Haan bolo.

Komal- Yeh achanak factory kyu ja rahe ho.

Main- Akar batata hoon.

Komal- Nahi abhi batao.

Aab isske sath kyon jagda karega.Maine sari baat bata diya.

Komal- Yeh toh galat hai.Agar hame bada deal mila hai toh yeh logh aise blackmail nahi kar sakte.Tumne kya socha hai kya karoge.

Main- Dekhte hai baat karta hoon.

Komal- Main jo keh raha hoon woh dhyan se suno.

Phir Komal mujhe aapna plan batane laghi.Uski plan sunkar toh main shocked ho gaya.Yeh toh bahot bhayanak hai.

Main- Bakei mein tum buisness tycoon banne ki kabiliyat rakhte ho.

Komal- Acha jaldi aa jana.Bachche keh rahe hai Papa ke bina acha nahi lagh raha hai.

Main bhi haste huye kahan.

Main- Bachchon se kehna unke papa jaldi a jayenge.

Phir maine call cut kar diya aur munimji ko sara plan bata diya.Jabh hum factory ke samne pohoncha toh dekha sabh logh bahar betha huya tha.Main jabh car se utra toh unka leader mere pas aya.

Main- Yeh kya ho raha hai.

W Leader- Hame bonus chahiye.

Main- Tum logon ko toh bonus mil chuka hai.

W Leader- Hame aur chahiye.Tum logh bahot paisa kamate ho aur hame chillar pakda dite ho.

Main- Zuban sambhal ke baat karo.Tum logon ko patah hona chahiye ki kis se baat kar rahe ho.

W Leader- Sahab hame toh sirf bonus chahiye.

Main- Dekho tum sabh logon ko hum salary bhi dete hai aur bonus aur occasion mein bhi dete hai.Phir bhi agar tum logh hame iss tarah blackmail karoge toh kya yeh achi baat hai.

Woh logh ek dusre ki muh dekhne lageh.Leader bhi kuch nahi keh raha tha.Aab Komal ka plan batane ka waqt a gaya.

Main- Munimji agar yeh logh kaam nahi karna chahte hai toh aap dusre workers dhundiye.Kitna waqt lagega workers lane mein.

Munimji- Malik workers toh main innke adhe kaal hi le ayunga aur 2 din mein inn se bhi jyada le ayunga.

Main- Thik hai.Innka chutti karo aur workers kaal hi le ayo.

Yeh kehkar main jaise hi muda sabh workers mere pair mein padh gaye.

Workers- Nahi sahab aise maat kariye.Hamare biwi bachche na khakar maar jayenge.

Main- Aab main kya kar sakta hoon.Tum logh kaam nahi karna chahte.

Workers- Kisne kahan hum kaam karna nahi chahte.Hum jorur kaam karenge.

Main- Phir yeh drama kyu kiya.

Workers- Iss leader ke bachche ne hame lalaj diya tha bonus ka.

Main- Munimji iss leader ke bachche ko isi waqt nikalo factory se.

W Leader mere pairon mein gir gaya.

W Leader- Nahi sahab mere upar itna bada julm maat kariye.Mujhe maaf ka dijiye.

Main- Utho mere pair se.

W Leader- Nahi aap mujhe nikal denge.

Main- Pehle utho.

Woh dhire dhire utha aur hath jodh kar khada ho gaya.

Main- Ek baat kaan khol kar sunn lo malik ke sath kabhi badtamizi maat karna.Agar kabhi bhi phirse kisi ko bhi badkaya.Jaan lena tumhara factory mein akhri din hai.

W Leader- Ji sahab.

Main- Munimji agar yeh logh phirse kabhi bhi aisa kuch karen toh innko nikal dena.Aur tum sabh ko ek baat kehna chahta hoon.Tum logh mere liye kaam karte ho.Tumhare sukh dukh mein main tum logon ke sath rahunga.Agar tumhe madat ke jorurat ho toh tum logh bata sakte ho.Aise kaam karne ki jorurat nahi hai.Agar main tum logon ko nikal dunga toh kahan jaoge.Mujhe toh workers mil jayenge.Lekin tumhe kahan naya naukri asani se milega.

Workers- Aab hum aise kabhi nahi karenge.

Main- Munimji aap yaha dekhiye aur haan sham ko aapke family ke sath a jaiyega.

Munimji- Ji chote malik.

Phir main car mein beth kar chal padah.Raste mein main ek jewelry shop mein gaya.

Dukandar- Bataiye sahab kya dikhaun.

Main- Mujhe ek locket chahiye tha.

Dukandar- Abhi dikhata hoon Sir.

Phir woh mujhe bahot sara locket dikhaya par mujhe pasand nahi aya.Phir maine dekha ek shell mein ek bahot sundar locket tha.

Main- Jara woh dijhaiye.

Dukandar- Sir woh bahot mehenga hai.

Main- Acha kitna.

Dukandar- 20 Lakh.

Main thoda chonkne ka acting kiya.

Main- Bapre itna mehenga kya.

Dukandar- Haan.Aapka budget kitna hai.

Main- Yeh lijiye credit card dekh lijiye itne paise hai ki nahi.

Woh mere credit card dekh kar shocked ho gaya.

Dukandar- Aap Thakur Veer Pratap Singh hai?

Main- Aab naam toh wohi likha hai.

Dukandar- Sorry sir.

Main- Chalo aab toh woh locket de doo.

Dukandar mujhe woh locket diya.Locket pura gold ka tha.Thoda sa bari bhi tha.Locket mein photo bhi laga sakte hai.Phir main waha se ghar chala aya.Mere ate ate dopeher ho chuka tha.Sabh tyaar tha ghar mein.Khana pakah raha tha ghar ke samne wala maidan mein.Main ghar akar sidha kamre mein chala gaya.Main Kamre mein jakar dekha toh Komal bed mein bethi huyi thi.Mujhe dekh kar boli.

Komal- Aa gaye.

Main Komal ke pas jakar beth gaya.

Main- Aapan ankhen band karo.

Komal- Kyu?

Main- Are karo na.

Komal aapni ankh band kar liya.Main uski hath mein locket rakh diya.Woh jabh locket dekha toh khush ho gayi.

Komal- Yeh mere liye.

Main- Nahi padosi ke liye.Of course tumhare liye.

Komal- Bahot achi hai.Tum pehnakar doo na.

Main Komal ko uthakar dressing table ke samne khada kar diiya.Phir uski piche se main locket pehnakar gaal mein ek kiss kar diya aur usko bahon mein bhar liya.

Main- Sexy lagh rahi ho.

Komal- Kahan sexy hoon.Moti ho gayi hoon.

Main- Kahan moti ho gayi ho.Mujhe toh sexy lagh rahi ho.

Main aapna muh uski gardan mein ragadne lagah.Aaj bahot dino ke baad Komal ko aise bahon mein bhara tha.Tabhi piche se Sahil ke awaaz aya.

Sahil- Yeh kya kar rahe hai bhaiya.

Main jhatke ke sath Komal ko chhod diya.Aab issko kya kahun.

Main- Are kuch nahi woh locket pehna raha tha.

Sahil- Maine dekh liya aapne papa jaise mummy ke sath karte hai waisa hi kar rahe the.

Uski baat sunkar hum hasne lageh.

Komal- Badmash rukh tuu.

Sahil bhag gaya waha se.Main Aur Komal bas has rahe the.Phir Komal ko bua ne le gaya tyaar karne ke liye.Komal ne mujhe ekk sherwani diya pehnne ke liye.Main bhi tyaar hone chala gaya.
 
Update 103

"GHOD BARAI CEREMONY PART-2"

Pura haveli ko dulhan ki tarah sajaya gaya tha.Charo taraf lightyon ki jhilmilata huya roshni se ujhwal sama huya tha.Komal ko lekar dusre room mein chale gaye the usko tyaar karne ke liye.Main bhi tyaar ho gaya Komal ko di huyi sherwani pehenkar.Phir main Dadi ke photo ke samne khada hokar bola.

Main- Dadi aaj Komal ki ghod barai hai.Hamare bachchon ko aaj bahot sare logh aashirvaad dene wale hai.Aap jaha bhi raho mujhe patah hai aap hamisha mere sath ho.Aap bhi hamare bachchon ko aashirvaad dena.

Yeh kehte kehte mera ankh naam ho gaya.Phir main niche chala aya.Hall ki sofe hatah di gaya tha aur waha par ek pooja ke liye jagah banai gaya tha.Pandit sabh tyaari kar rahe the.Main bhi waha khada hokar sabh tyaari dekh raha tha.Aakash uncle aur Sameer uncle bhi tyaariyon ko dekh rahe the.

Pandit- Thakurain ji ko lekar aiye.Shubh samay nikal raha hai.

Aakash uncle ne Sahil ko kahan Komal ko le ane ke liye.Thodi der baad teeno bua ke sath Komal sidiyon se utarte huye nazar ayi.Teeno bua bahot sundar lagh rahi thi.Meri nazar Komal par padah toh main bas usko hi dekhta raha.Aisa lagh raha hai jaise koi naye naveli dulhan ho.Lal shaadi ke sari mein aisa lagh raha hai jaise

koi apsara.Lal pari ki tarah.Lal pari se mujhe Pari ka yaad a gaya.Main aab jaan chuka hoon.Main kitna bhi Komal ko pyaar kar loon par Pari hi mere dil ki dhadkan hai.Agar Komal mere dil hai toh Komal hai meri dhadkan.Komal ko lekar beth diya gaya.

Pandit- Thakur sahab aap bhi a jaiye.

Main jaise nind se jagah.Main samne dekha toh pandit mujhe bola raha tha.Main jakar Komal ke sath beth gaya.

Phir pandit mantra padhna chalu kar diya.Karib 30 min tak pooja karne ke baad pooja khatam huya.Phir Komal ko lekar gaya aur usko ek kursi pe betha diya aur uski ghod mein ek chunni rakh diya.Sabh uski ghod mein gift de rahe the aur aashirvaad bhi de rahe the.Mujhe bahot acha lagah.Rama aunty bhi Komal ko aashirvaad diya.Kuch der baad maine dekha darwaza se Rishabh uncle aur Shakuntala aunty a rahe hai.

Mujhe lagah main sapna dekh raha hoon.Main unke tarap bas dekh hi ja raha tha.Mujhe lagah yeh sapna hai.Mujhe tabh yakin huya jabh koi mujhse takra gaya.Yeh toh sapna nahi hai.Par yeh dono yaha kya kar rahe hai.Woh sidha Komal ke pas chale gaye.Shakuntala aunty Komal ko gift dekar boli.

Shakuntala- Beta hamisha khush raho aur swast bachche ka maa bano.

Maine ek baat notice kiya ki jabh woh yeh bol rahi thi tabh unke ankh naam ho gaye the.Riahabh uncle bhi aashirvaad diya.Phir Komal mujhe waha bolane laghi.

Komal- Aap idhar aiye na.

Rishabh uncle aur Shakuntala aunty ne mujhe dekha.Mujhe dekhte hi Rishabh uncle Aakash uncle ke pas chale gaye.Shayed mujhse naraj honge.Main Komal ke pas jakar khada ho gaya.

Komal- Yeh hai Shakuntala aunty.Inki pati ne tumhe uss din bapas laye the.

Isski baat sunkar toh main shocked ho gaya.Riahabh uncle ne mujhe ghar laya tha.Shayed laye honge.

Main- Namaste aunty.

Shakuntala- Namaste beta.Kaise ho?

Main- Ji thik hoon.

Komal- Aunty chaliye aapko maa aur bua ji se milvata hoon.

Komal unko lekar chali gayi.Main bhi bahar chala gaya.Gaon ke sabh logon ko khane ke liye betha diya gaya tha.Laghbagh sabhki khana ho gaya tha.Sabh ke khana hote hote doo ghante lagh gaye the.Sabh aab bidai lene laghe.Sabh aapne aapne ghar chale gaye.

Aab Sirf hum family members hi reh gaye the.Hum sabh bethkar khana khane lageh.Sahil aise kha raha tha jaise kabhi khana khaya hi nahi ho.

Sameer Uncle- Sahil tum aise kyu kha rahe ho.Ahista se khao na.

Sahil- Khate huye...Papa bahot bhuk lagh raha hai.

Kajol Bua- Agar itna bhuk lagah tha toh pehle kyu nahi kha liya.

Sahil- Kaise khata mummy.Main kaam mein busy tha.

Uski baat suunkar hum sabh hasne lageh.

Sahil- Sachi maine bahot kaam kiya.

Divya Bua- Acha aapne kya kaam kiya.

Sahil- Maasi maine video banaya na.

Iss baat par bhi sabh has padeh.

Aakash Uncle- Bakei mein aapne toh bahot badah kaam kiya.Yeh toh bahot important kaam hai.

Sahil- Thanks Mausa ji.

Aise hi hasi majak karte karte 12 baaj gaye.Sabh bahot thak chuke the.Sabh aapne aapne kamre mein jakar sou gaye.Main aur Komal aapne kamre mein akar dress change kiya phir bistar mein akar bahon mein bahon dal kar let gaye.

Main- Tumko ek baat puchon.

Komal- Hmmm.

Main- Tumne Rishabh uncle ko invite kaise kiya.

Komal- Woh unka phone number munimji se le liya tha maine.

Main- Hmm.Baise aap aaj bahot sundar lagh rahi thi.Lal pari lagh rahi thi.

Komal- Sachi.

Main- Muchi.

Woh bahot khush ho gayi aur mujhse lipat kar sou gayi.Main aab Pari ke bareme sochne lagah.Kaisi hogi woh.Khush toh hai na.Kabhi kabhi mere dil mein dard hota hai.Patah nahi kyu.Aisa laghta hai jaise koi taklif mein hai.Kya woh khush hai.Aaj mujhe aunty se puchna chahiye tha Pari ke barme.Par puch nahi paya.Uncle ki behaviour se lagh raha tha bahot ghussa hai woh mere upar.Hona bhi chahiye.Maine itna bada dhoka jo diya.Par main toh halat ke age mojbur tha.Anewala zindaghi kya hoga woh sochte sochte main nind ke agosh mein chala gaya.
 
//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg Update 104 //cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg

Subah uthkar main office jane ke liye tyaar ho gaya.Komal niche thi.Main jabh niche a raha tha toh dekha sara decoration utar rahe the.Jinko contract diya tha woh niche khade the.Main jabh niche gaya toh woh mere pas a gaye.

Decorator- Malik aap ko pasand aya na decoration.

Main- Ji haan aapne bahot ache kaam kiya woh bhi itne kaam samay mein.

Decorator- Woh malik baaki ka paise mil jateh toh acha hota.

Main- Haan haan jorur.Aap aiye mere sath.

Main unko lekar hall mein beth gaya.Waha par sabh bethe huye the.

Main- Boliye kitna huya.

Decorator- Malik jitna tay huya tha.Aapne toh pehle advance 1 lakh de diye the.Aab aur 5 lakh dene hai.

Main bank check mein 5 lakh de diya.Phir woh waha se chale gaye.

Divya Bua- Sonali abhi hum chale jayenge.

Main yeh baat sunkar thoda mayus ho gaya.

Komal- Nahi aap logh kahin nahi jayenge.Aur rukna padega.

Divya Bua- Beti inka kaam bhi toh hai na.

Komal- Main kuch nahi janti.Aapko rukhna hi padegi.

Divya Bua- Beti samajh baat ko.

Tabhi mujhe yaad aya ki Komal ko toh shahar2 wale doctor ko dikhana hai.Par agar main Komal ko yaha se waha le jaon toh bahot tklif hoga Komal ko.Maine bua se bola.

Main- Woh bua mujhe kuch kehna tha.

Divya bua mere taraf kuch der dekhi phir boli.

Divya Bua- Kya.Agar tum kahoge toh kya main rukh jayonga.Yeh sochna bhi maat.

Wog bahot ghusse mein lagh rahi thi.Main bhi normal tune mein bola.

Main- Nahi bua.Main woh baat kehkar aap logon ko paraya nahi kar sakta.Yeh aapka ghar hai.Aap chaho toh jitne bhi din chahe reh sakte hai.Yeh aapka hi ghar hai.Bhala main kyon hota hoon kehna wala rukhne ke liye.Main bas kuch aur kehna chahta tha.

Dono bua mere baat sunkar mere taraf dekhne laghi.Mujhe bahot bhura lagah tha unki baat ko.Phir unhone normal tune mein boli.

Divya Bua- Kya?

Main- Woh darasal baat yeh hai ki Komal ki jo doctor hai woh family holiday gayi huyi hai.Toh unhone jane se pehle shahar2 mein ek doctor ko refer kiya hai.Aab main agar yaha se shahar2 Komal ko lekar jaon toh uski sehat ke liye achi baat nahi hai.Isliye main yeh keh raha tha kii agar aapko koi pareshani nahi hai toh kya aap Komal ko sath le ja sakte hai kya.

Mere baat sunkar Komal shocked ho gayi.Uski chehre se lagh raha tha ki woh nahi jana chahti thi.Main bhi samajh chuka tha mujhe dant padhne wala hai.Par uske liye yeh joruri hai.

Divya Bua- Are Komal beti tune pehle mujhe kyu nahi batai.Main toh tujhe khushi khushi aapne sath le jati.Chal tu packing kar le.Sonali tu bhi aapni packing kar le.

Bua mujhe kuch nahi kahin isse mujhe bahot bhura lagah.Par koi baat nahi.Ek din na ek din woh mujhe pyaar jorur karengi.

Komal- Nahi mami.Main nahi chal sakti.Inka khyal kyon rakhega.

Divya Bua- Yeh koi doodh pita bachcha nahi hai jo khyal rakhna hoga.

Komal kuch kehne jahi rahi thi ki maine uski hath dabah diya.Woh meri taraf dekhi.Maine ishare se naa mein sar hila diya.

Main- Toh bua aap logh kabh nikal rahe hai.

Sonali Bua- Beta main rukh jati hoon tere pas.

Main- Nahi maa.Main thik hoon.Komal ka khyal toh aapko hi rakhna hai.Aapko toh sabh kuch malum hai na.Aap achi tarah se unka khyal rakh sakti hai.

Divya Bua- Chalo Komal beta packing kar lo.

Phir sabh chale gaye packing karne ke liye.Main bhi Komal ko lekar kamre mein a gaye.Ate hi woh mujh par bharas padi.

Komal- Yeh kya kiya tumne.Kya jorurat thi yeh kehne ke liye.

Main- Dekho Komal tumhare sehat ke liye yeh sahi hai.Aab behas maat karo.

Komal- Par tumhara khyal kyon rakhega.

Main- Woh madam main koi bachcha nahi hoon.Main aapna khyal rakh sakta hoon.Aap filhal aapna aur mere bachchon ka khyal rakhiye.

Phir Komal kuch nahi kahin.Kyu ki usko bhi patah hai yehi uske liye sahi hai.Phir maine hi sabh pack karke diya Komal ko.Phir sabh niche chale aye.Sabh car mein beth gaye.Maine roj call karunga keh ke Komal ko bhej diya.Woh bahot dukhi nazar a rahi thi.Par kya karen mera bhi mann nahi tha.Phir main office ki taraf nikal padah.
 
So Rocking Enjoy

&

Keep Supporting Dosto

//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f49d.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f49e.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f496.svg
 
//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg Update 105 //cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg

Office mein jabh aya toh watchman se lekar har stuff khade hokar mujhe good morning wish kiya.Lekin kai dino se ek ladka khada nahi hota.Jabh bhi main office mein ata hoon woh kisi se has kar baat karta tha.Maine bhi kuch nahi kahan.Mujhe lagah ki sudhar jayega.Aaj bhi sabh mujhe khade hokar good morning wish kiya lekin woh aaj bhi baisa phone par has kar baat kar raha tha.Aaj main jakar uske samne khada ho gaya.Woh abhi tak phone par baat kar raha tha.Main bas khade hokar dekhta raha.Pura stuff mujhe dekh raha tha.Unko shayed lagh raha tha aaj toh yeh gaya kaam se.

Jabh uska nazar mere taraf padah toh woh khada ho gaya hadbadakar.

Ladka- Sir aap.

Main- Woh toh sir ko malum hai ki main iss office ka boss hoon.

Ladka- Sorry sir.

Main- Tumhara naam kya hai.

Ladka- Ji Rahul.

Main- Toh Rahul ji kisse baate ho raha tha.

Rahul- Woh sir main main....

Main- Yeh main main kya lagah rakha hai bakri ki tarah.Kisse baat kar rahe the phone par.

Rahul- Woh sir gf se.

Main- Woh toh aap gf se baat karne ke liye office ate hai.

Rahul- Nahi sir.

Main- Phir aapne office time mein kyu baat ki.Ghar jakar kya karte ho.

Rahul- Sorry Sir.

Main- Dekho office time mein office ka kaam karo.Gf se baat ghar jakar bhi ho sakta hai.

Rahul- Ok sir.

Main- Good.

Phir main aapna cabin mein chala aya.Woh ladka bahot darr gaya tha.Paseene chhut raha tha mathe se.Phir main Komal ko phone kiya.

Main- Tum pohonch gayi na.

Komal- Haan main pohonch gaya abhi abhi.

Main- Toh aab kya kar rahi ho.

Komal- Bas kamre mein aram kar rahi hoon.Tumko bahot miss kar rahi hoon.

Main- Main bhi.Par tumhare health ke liye yeh thik hai.Baise mere bachche kaise hai.

Komal- Haste huye...Aapne papa ko yaad kar rahe hai.

Main- Unko kehna main bhi unko bahot yaad kar rahi hoon.Aapna mobile peth mein rakho.

Komal- Kyu?

Main- Are yaar mujhe mere bachchon ko kiss dena hai.

Komal- Nahi rakhungi.

Main- Are kyu.Tum ek baap se uski bachchon ko dhur kar rahe ho.

Komal- Karungi agar tum mere checkup ke din yaha na aaye toh.

Main- Are uss din toh main jorur ayunga.

Komal- Sach.

Main- Haan.Aab toh mere bachchon ko kiss karne doo.

Komal- Lijiye kiss kar lijiye dono badmash ko.

Phir Komal ne phone ko aapni peth mein rakh diya.

Main- Mmmmmmmuuuuuuuuuaaaaaahhhhhhhhhh.

Komal- Aab khush ho na.Aahhhh.

Main- Are kya huya.

Komal- Laghta hai dono badmash khush ho gaye iss liye laat mar raha hai.

Main bas has padah.Phir kaafi der baate karne ke baad maine phone rakh diya.Phir aapna kaam karne lagah.Office khatam hote hi main ghar ke liye nikal padah.Pehle Komal meri intezar karti thi lekin aaj ghar mein koi nahi hai mera intezar karne wala.Main ghar akar khana khaya.Khana khakar main kamre mein chala gaya.Phir Komal ki phone aya.Woh mere khane ke bareme puch rahi thi.Phir bahot baate kiya uske sath.Phir main terrace mein akar tehelta raha.Phir aise hi raat ghujar gaya.

Din aise hi ghujar ja rahe the.Komal ke sath dinin mein kamse kaam 5 6 baar baat hota tha.Office se ghar ghar se office.Aise karte karte woh din bhi a gaya.Jiss din Komal ko doctor dikhani tha.

Main Subah Subah uthkar hi car lekar nikal padah Shahar2 ke taraf.Sabhere ke 7 baje main nikla tha.Rasta pura khali hi tha isiye main tezz raftar se car chala raha tha.Aaj bahot dino ke baad Komal se milunga.15 din baad mulakat hoga hamara.Main toh milne ke liye taras rahi hoon.

Shahar2 Bahot jald pohonch gaya.Jaise hi main shahar2 pohoncha mujhe Pari ka yaad ane lagah.Uski badan ke khushbu a raha tha.Mere dil mein jakar chubne lagah.Main jhatke mein aapna dimagh ko badala.Main Divya bua ki ghar ke samne akar car rukaya.

Car se nikal kar main gate ki taraf ja hi raha tha ki mujhe yaad aya ki Komal ke liye kuch lekar jana chahiye.Main idhar udhar dekhne lagah ki maine dekha ek ladki hath mein rose lekar raste ki kinare khadi thi.Main uski pas gaya.

Main- Beta rose kitne ka hai.

Ladki- Sahab ek ka 10 rupaiya.

Main- Tumhare pas kitna hai.

Ladki- Mere pas toh 20 hai.

Main- Chalo tum mujhe sare de doo auur yeh lo 200 rupees.

Ladki- Dhanyabad sahab.

Main muskurate huye rose le liya.Woh ladki waha se chali gayi.Phir main gate ke pas a gaya.Watchman mujhe dekhte hi namaste kiya phir main andar ghus gaya.Main ghar ke andar akar hall mein dekha toh Divya bua aur Sonali bua bethi huyi thi.Mujhe dekhte hi Sonali bua bhagh kar mere pas ayi.Maine unki pair chuye.

Sonali Bua- Beta kaise ho.

Main- Thik hoon maa.Aap kaisi hai.

Sonali Bua- Main bhi thik hoon beta.

Main Divya bua ke samne jakar unke pair chuye.

Divya Bua- Ane mein koi taklif toh nahi huyi na.

Yeh baat sunkar pehle toh main shocked ho gaya ki bua mere sath baat kar rahi hai.

Main- Ji nahi.

Divya Bua- Tum Komal ke pas jao main nashta lagati hoon.

Bua aur Sonali bua waha se chali gayi kitchen ki taraf.Aab Komal kis kamre mein hai mujhe kaise patah chalega.Mujhe lagah ki Komal shayed Aruna ki kamre mein hogi.Main Aruna ke kamre ke pas pohonch gaya.Main andar jhak kar dekha toh Komal bed mein adhi leti huyi thi aur aapni peth ko sehla rahi thi aur badbada rahi thi.Main andar ghus kar sunne lagah.

Komal- Dekha tum logon ka papa abhi tak nahi aye.Jhuthe kahin ke.

Main- Unke papa a gaye aur mummy ke husband bhi.

Komal meri awaaz sunkar mere taraf dekh kar bahot khush ho gayi.Main uski sath beth gaya.Woh mujhe jor se pakad kar bahon mein bhar liya.Kuch der hum aise hi rahe.Jabh maine usko alagh kiya toh dekha uski ankhen naam thi.Main uski asu pohonchte huye.

Main- Yeh kya pagli kahin ki rou kyu rahe ho.

Komal- Yeh toh khushi ke asu hai.Tumhe kitne dino ke baad dekhi hai.

Main- Yeh rouna dhona chhodo aur yeh lo.For my beautiful wife.

Maine rose uski hath mein de diya.Woh rose dekh kar bahot khush huyi.Phir maine bahot baate ki uske sath.Phir hum sabh report lekar niche a gaye.Bua nashta bhi de diya tha table mein.Main nashta karne lagah.Komal bhi mere sath nashta karne laghi.Phir main Komal ko lekar nikal padah doctor ke clinic ke taraf.
 
//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg Update 106 //cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg

Main Komal ko lekar hospital ke taraf nikal padah.Komal mere pas bethi huyi thi.Hum traffic mein fase huye the.Tabhi mujhe ek ladki dikhai diya.Jo ki bahot choti thi.Woh bhik mang rahi thi.Main uski taraf dekh raha tha ki woh ek car ke pas jakar bhik mangne lghi.Kaafi bhik mangne ke baad woh car ka driver shayed chidchida hokar usko dhakka de diya.Woh jakar dusre car se takrayi.Mujhe ghussa a gaya.

Main car se utarkar uss car ke samne jakar khada ho gaya.Maine dekha ek ladka betha huya tha aur uske sath ek ladki thi.Dekhne mein aamir lagh raha tha.Ankhon mein kala chashma.Maine bachchi ko uthaya.Uski mathe ki hissa sujh chuki thi.

Main- Tune issko dhakka kyu diya.

Ladka- Aabe tu kyon hai.Chal ja yaha se.

Main- Tune isse dhakka kyu diya.

Ladka- Aabe tu behra hai kya tujhe jaane ke liye kahan na.

Main car ke darwaza kholkar ussko bahar nikala aur gardab pakad liya.Woh chhutne ki koshish karne lagah.

Main- Saale aamir baap ke aulad.Tu iss bachchi ke upar hath kaise uthaya.

Ladka- Toh tera kyu jaal raha hai.Tera kyon laghta hai.

Main- Mera kuch nahi laghta.Lekin insaniyat ki rishta hai.Saale baap ki dawlat pe chalta hai phir bhi ghamand karta hai.Garib ko insan nahi samajhta.

Tabhi waha par Komal a gayi.

Komal- Veer chhodo isse.Chhodo.

Maine usko chhod diya.Woh khasne lagah.

Main- Baap ke paiso se chalna koi bhuri baat nahi hota lekin insaniyat logon mein hona chahiye.

Phir main uss bachchi ki pas aya.

Main- Beta tumhe chot toh nahi laghi na.

Bachchi- Thoda sa.

Main- Beta tumhara ghar kahan hai aur yeh kaam kyu karti ho.

Bachchi- Mera toh koi ghar nahi hai.Raste mein souta hoon.

Main- Tumhare maa baap kahan hai.

Bachchi- Woh toh maar gaye.

Main thoda mayus ho gaya.Itni choti ladki itni si umar mein anath ho gayi.

Main- Tumhara naam kya hai.

Bachchi- Mera naam Priya hai.

Main- Acha aapka naam Priya hai.Bahot pyara naam hai.

Priya- Bhaiya 5 rupees denge.2 din se kuch nahi khaya.Bahot bhuk laghi hai.

Jabh woh mujhe bhaiya kahan mera dil chu gaya.Main uski chehre ke or dekhne lagah.Bahot pyari ladki thi.Dekhne mein bahot cute.Kapde maili thi.Mujhe hamisha se hi ek behen ki kaami khatakta tha.Mera bhi mann karta tha ki mera bhi koi bahen ho.Koi mujhe bhaiya kehkar pukare.Mera ankh thoda sa naam ho gaya.

Main- Tumhe bhuk laghi hai.Chalo mere sath.

Iss bich Komal ne ek baat bhi nahi kahin.Main Priya ke liye khana kharida.Phir usko car mein bethaya.Woh khana khane laghi.Woh bahot bhukhi lagh rahi thi.Main ek chij notice kiya ki Komal bas mujhe dekh rahi thi.Par main kuch nahi kahan.Phir main clinic ke pas car rokh diya.Maine Priya se bola.

Main- Priya tum yaha bethi raho.Hum andar jakar ate hai aur bahar maat nikalna.

Priya- Ok bhaiya.

Oh jabh bhi bhaiya phukarti thi toh mere dil mein khushi sama jatah tha.Main Komal ko lekar clinic ke andar a gaya.Hum jabh Dr.Sunaina ki cabin mein dakhil huya toh woh kuch padh rahi thi.Hum jakar unke pas chala gaya.Woh mere taraf dekh kar thoda sa hang huya phir hame bethne ko kahan.Hum beth gaye.

Dr.Sunaina- Main abhi aapki biwi ka report padah hai.Bahot improvement hai.Ghabrane ki koi jorurat nahi hai.

Dr.Sunaina ne hamare sath kaafi baat kiya.Par main ek baat ko lekar shocked tha ki Dr.Sunaina ne Pari ke bareme kuch pucha kyu nahi.Shayed unko malum hai.Phir hum bahar nikal aye.Main bahar akar Komal se kahan.

Main- Komal mujhe ek baat karna tha.

Komal- Priya ke bareme na.

Main- Hmm.

Komal- Kya.

Main thoda sa rukh kar bola.

Main- Main Priya ka padai aur rehne ka kharcha uthana chahta hoon.Usko ek bahen ki tarah rakhna chahta hoon.

Komal ek muskan ke sath boli.

Komal- Yeh toh tumne bahot achi baat socha hai.Mujhe bahot khushi hogi.

Main bhi khush ho gaya.Phir main Komal ko lekar car ke pas a gaya.Maine dekha Priya sou chuki thi.Main ek NGO mein gaya.Waha jakar Priya ka rehne ka sabh intezam kar diya.Usko jo bhi chij lageh sabh ka intezam kar diya.

Main- Priya aab se tum yaha rahoge.

Priya ko jagah acha lagah.Kyu nahi lagega bachpan se hi sadak pe jo rahi hai.

Priya- Sach bhaiya.

Main- Haan.Yeh tumhe school bhi admit kara denge.Tum bade hokar kya banna chahti ho.

Priya- Patah nahi.Aap hi bolo kya banu.

Main thoda sa muskurate huye kahan.

Main- Tum ek doctor banna.

Priya- Jorur bhaiya.Main doctor banungi.

Main Priya ko gale lagah liya.

Main- Agar kabhi bhi koi jorurat hai na.Phone kar dena.

Main waha ki warden se keh diya hai ki Priya ka achi tarah se dhyan rakhiyega.Phir main bank phone karke keh diyaa hai ki har mahine Priya ke liye 30,000 transfer karne ke liye.Priya ko sabh samjhakar hum nikal padeh bua ke ghar ki taraf.

Komal- Tumne bahot acha kaam kiya.

Main- Patah nahi jabh woh mujhe bhaiya kahan toh dil ko chu gaya.Ek alagh sa khushi huya.

Phir hum bua ke ghar pohonch gaye.Dopeher ho chuka tha.Maine aur Komal ne milkar sabh ke sath khana khaya.Aab mera jaane ke waqt a gaya tha.

Main- Acha aab main chalta hoon.

Divya Bua ne izazat de diya.Komal ko dekh kar dukhi lagh rahi thi.Lekin kuch nahi kar sakta tha.Main usko samjha kar nikal padah gaon ki taraf.Mujhe aaj ek bahen bhi mil gaya tha.Main bahot khush tha.
 
//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg Update 107 //cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg

Mera zindaghi aise hi kaat raha tha.Subah office aur office se ghar.Komal har lamha mujhe call karti thi.Main bhi uske sath baat karta tha.Aise karte karte aur 10 din ho gaya.Mujhe Priya ka yaad a raha tha.Iss 10 din mein maine call kiya lekin NGO walo ne kuch na kuch kehkar baat nahi karvaya.Isliye aaj main tay kiya ki aaj main usse milne jayunga aur Komal se bhi mil ayunga.

Main subah subah tyaar hokar pehle office gaya.Office mein mujhe munimji mil gaya.

Munimji- Malik shahar2 wale office janah padega aaj.

Mujhe toh aaj shahar2 jana hi tha.Par shahar2 office kyu jana hai.

Main- Kyu kya huya?

Munimji- Woh kuch formalities pura karna hai.

Main- Baise bhi main aaj shahar2 jane hi wala tha.Chaliye chalte hai.

Phir main munimji ko lekar nikal padah shahar2 ki taraf.Hum shahar2 pohonch kar pehle office gaya.Kuch legal papers ka formalities pura karke main munimji ko lekar NGO a gaya.Main sidha Priya ki kamre ki or chala gaya.Par kamre mein toh taala lagah huya hai.Main warden ke pas chala gaya.Warden mujhe dekh kar darr gaya.

Warden- S S Sir aap.

Main- Haan Priya se milne aya hoon.Woh kahan hai.Usski kamre mein taala lagah huya hai.

Warden- Woh woh woh.

Main- Kya woh woh lagah rakha hai.Priya kahan hai.

Warden- Bahar gayi hai.

Main- Bahar kis liye.

Warden- Woh kuch shopping karni thi usko.

Main- Acha thik hai.Main wait karta hoon.

Warden- Nahi nahi Sir bahot derr lagh jayega.

Main- Aapko kaise malum derr lagh jayegi.Baise bhi jitna bhi derr lageh main Priya se milkar hi jaunga.

Main bahar car ke pas akar wait karne lagah.Main bonnet ke upar betha tha ki ek bujurg aadmi ayaya mere pas aur fusfusate huye bola.

Aadmi- Sahab side mein ayenge aapse kuch baat karna hai.

Main- Kya baat karna hai.

Aadmi- Aap side mein aiye na.

Main side mein jakar usko bola.

Main- Kahon kya kehna hai.

Aadmi- Sahab aap Priya se milne aye hai na.

Main- Haan kyu.

Aadmi- Sahab warden ne Priya ko ek ghar mein kaam karne ke liye de diya hai.

Main toh shocked ho gaya.

Main- Yeh kya bakwas hai.

Aadmi- Haan sahab main sach keh raha hoon.Yaha pe jitni bhi ladki ya ladka ata hai na.Warden ussko kaam karne ke liye bhej dete hai.Jabh bhi unko ghod lene wala ata hai toh ussko le ate hai aur dara dhamka kar kehte hai kuch nahi kehne ke liye.

Mera toh jaise dil rou padah.

Main- Par tum mujhe kyu kahan.

Aadmi- Isliye sahab ki aab pehla aadmi ho jo ki itni jaldi kisiko dekhne aye hai.Isse patah chalta hai ki aapap jorur Priya ko bajot pyaar karte hai.

Main- Tum jante ho kis ghar mein Priya ko diya hai.

Aadmi- Sahab woh toh main nahi janta.

Mujhe itna ghussa aya ki main sidha aapna shirt ko pant ke andar se nikala aur tezz kadmo se warden ke kamre ki taraf badh gaya.Munimji mujhe aisa dekh kar woh bhi mere piche a gaye.Main kamre mein dakhil hokar dekha warden chay pee raha tha.Main sidha jakar uske muh mein ghusa mara.

Woh niche gir gaya.Main gardan se pakad kar uthaya.

Main- Bol saale Priya ko kahan beja hai.

Warden- Yeh aap k k kya bol rahe hai.

Main- Mujhe sabh malum ho chuka hai.Sach sach batah nahi toh tera gala dabah dunga.

Mera ankh ghusse se lal ho gaya tha.Itna ghussa shayed mujhe pehle kabhi nahi huya.Woh mujhe iss tarah dekh kar darr gaya.

Warden- Bolta hoon bolta hoon.

Phir ussne mujhe address kahan.Maine usska gardan chhod diya.

Main- Munimji issko police ke hawale kariye aur issne jitne bhi ladki aur ladko ke sath aisaa kiya woh patah lagaiye aur unka adopt lene walon ko khabar kijiye.Bank mein bhi keh dena ki iss NGO mein paise bhejne ki jorurat nahi hai.

Munimji- Thik hai malik.

Phir main munimji ko waha chhod kar uss address ki taraf nikal pdah.Mujhe bahot rouna a raha tha.Yeh mainr kya kar diya.Woh bechari toh bhik mangte huye hi achi thi.Maine usko NGO mein dalkar toh uske liye aur kathin kar diya zindaghi ko.Uss masoom ke dil mein kya ghujri hogi.Main bas yehi soch raha tha.Main jaldi uss address mein pohonch gaya.Gate ke pas akar dekha toh Mr. & Mrs.Singhaniya likha huya tha.

Watchman- Kisse milna hai aapko.

Main- Tumhare malik ke sath.

Watchman- Aap kyon laghte hai sahab ki.

Main-Buisness partner.

Watchman- Aiye sahab.

Main andar a gaya.Bahot badah ghar tha.Dekhne se lagh raha tha kafi aamir aadmi hai.Main jabh ghar ke andar ghusa toh mera dil rou padah.Samne ke nazara dekh kar mera asu nikal padah.

Baal bikhre huye.Ek fati huye kapde pehen kar Priya ghar mein pocha lagah rahi thi.Ek masoom si ladki se aisa kaam kara rahi thi.Ek aurat paon ke upar paon rakh kar tv dekh rahi thi unke pas ek aadmi bhi tha.Main dhime kadmo ke sath Priya ke samne khada ho gaya.Woh ahista se aapna sar uthakar mere taraf dekhi.Uski ankhen dekh kar mera ankh naam ho gaya.Ankh bhar aya.Woh mujhe dekh kar halki si asu nikal diya.

Main ghutno ke bal beth gaya.Woh jhapak kar mere gale lagh gayi.

Priya- Bhaiya.

Yeh kehkar woh roune laghi.Main jabh uski peet ko pakda toh uski muh se cheekh nikal gayi.

Priya- Ahhhhhhh.

Uski cheekh sunkar mere kalija kaanp gaya.Main uski peet ki zip khola toh mera ruh kanp gaya.Uski peet mein kaale kaale nishan tha.Aisa lagh raha tha jaise koi chabuk se mara ho.Main usko alagh kiya.

Main- Priya tumhe kisne mara.

Woh bas routi ja rahi thi.

Main- Bolo na kisne mara.

Priya- Unn aadmi aur aurat ki taraf ishara karke....Unhone.

Mujhe bahot ghussa a gaya.Woh bhi hamare pas a gaye.

Aadmi- Oye tu hai kyon aurur hamare naukrani se aise kya baat kar raha hai.

Main uthkar khada ho gaya aur uska collar pakad liya.

Main- Saale tera zameer kaise ghabara diya iss masoom ladki par hath uthane ki.

Aurat- Chhodo mere pati ko.

Main- Yeh ssssssshhhhhhhh.

Woh aurat sehem gayi.

Aadmi- Humne paise dekar kharida hai.

Main- Aabe saale tune kharida hai ka kya matlab hai.Yeh kya bazar ka khilona hai ki tu kharid liya.Priya issne tujhe kaise marah.

Priya- Belt se.

Main- Acha saale ek bachchi par mardangi dikhata hai.

Main aapna belt nikala aur uss aadmi ko marne lagah.Woh zameen par gir gaya aurur maar khane lagah.Woh aurat daar ke maare ek kone mein khadi ho gayi.

Aadmi- Mujhe maaf kardo.

Main- Saale aab tujhe dard ho raha hai na.Jara soch jabh tune issko mara hoga toh iss masoom ladki ko kitni dard huyi hogi.

Maine ussko bahot mara.Phir main rukh gaya.Main jakar Priya ko ghod mein uthaya.Woh mere gale lagh gayi.Main aurat ki taraf ungli karke bola.

Main- Sunn tu ek aurat hai isliye tujhe kuch nahi kiya.Jabh tune aisa kiya tabh tere andar mamta nahi jagah kya.Kaisi aurat hai tu.Aurat ke naam par dabbah hai.Thuu.

Aadmi ki taraf ungli karke.

Main- Tum logon ko toh police mein dena chahiye.Par nahi de raha hoon.Tujhe maine saja de diya hai.Ainda kisi bachchi ko marne se pehle aapne aapko usski jagah par rakh lena.

Main Priya ko ghod mein lekar ghar se bahar a gaya.Priya ko car mein bethakar hospital a gaya.Dard ke bajase thoda bhukar tha aurur uski badan meij bhi dard tha.Woh bhukhar ka aur dard ka medicine diya.Phir main Priya ko lekar ek shopping mall mein a gaya.Woh abhi bhi mere ghod mein thi.

Priya- Bhaiya hum yaha kyu aye hai.

Main- Hum yaha Priya ke liye kapde lene aye hai.

Priya bahot dukhi ho gayi.

Priya- Aap phirse mujhe gande logon ke pas rakh kar chale jayenge na pichli baar ki tarah.

Main usski gaal par kiss karke bola.

Main- Nahi.Aaj se tum mere pas rahoge.Mere bahen baan kar.Rahogi na.

Priya bahot khush ho gayi.Woh mere gale lagh gayi.

Priya- Sach bhaiya.

Main- Haan meri guddiya.

Phir Priya ne bahot sara kapde kharide khud ke liye.Woh khud ke liye bahot sara doll bhi kharida.Aaj mujhe alagh si khushi mil raha tha.Shayed isiko kehta hai bahen ka pyaar.Phir main Priya ko lekar Divya bua ke ghar a gaya.Sham bhi ho chuka tha.Mere sath Priya ko dekh karar Dono bua shocked ho gayi ki yeh kaun hai.

Sonali Bua- Beta yeh kyon hai.

Maine bua ko sabh kuch bata diyaa aur yeh bhi bata diya ki aaj se yeh meri bahen hai.Mere baat sunkar woh dono mujhe dekhne laghi.

Sonali Bua- Beta yeh toh tumne bahot achaa kaam kiya.

Divya bua kuch nahi kahin.Phir main Priya ko lekar Komal ke pas chala gaya.Priya ek bahot sundar sa frock pehni huyi thi.Maine shopping mall mein hi beauty parlour mein usko saja ke laya tha.Komal Priya ko dekh kar khush ho gayi.Koma Priya ko aapni pas betha liya.

Priya- Bhaiya yeh kyon hai.

Komal- Aap socho.

Priya sochne ki tarah acting karke boli.

Priya- Aap bhaiya ki biwi hai na.

Komal- Nahi main toh Priya ki bhabi hoon.

Yeh kehkar dono hasne laghi.Priya itna bhi choti nahi thi.8 saal ki hogi woh.Phir woh dono baat karne laghi.Main aurur Priya ne bahar hi kha liya tha isliye hame bhuk nahi lagah tha.

Main- Chalo Priya aab hum chalte hai.

Priya- Kahan bhaiya.

Main- Hamare ghar.

Komal- Aab toh raat ho chuka hai aajaj rukh jao na.

Main kuch kehne ja raha tha ki piche se Divya bua boli.

Divya Bua- Haan aaj rukh jao.

Yeh mere liye kuch kaam nahi tha.Main rukh gaya.Komal ko Priya bahot pasand ayi aurr Priya ko bhi Komal bahot pasand ayi.Phir raat ko hum sabh khana khaye.Uncle ko bhi sabh bata diya gaya.Woh bhi mujhe appreciate kiya.Phir aya soune ki baari.Priya toh mujhe chhod kar kahin nahi jayegi.Phir tay huya main Komal aur Priya ki bich mein soyunga.Priya ko agar Komal ke sath sulaya toh agar hath pair Komal ko lagh gaya toh.Phir hum sabh sou gaye.
 
//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg Update 108 //cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg//cdn.jsdelivr.net/gh/twitter/twemoji@latest/assets/svg/1f339.svg

Kehte hai zindaghi mein aisa waqt ata hai jabh aapko laghta hai zindaghi mein sabh kuch paa liya.Tabhki khushi bahot kuch bayan karta hai.Kya main sabh kuch paya.Yeh toh patah nahi hai.Logon ki jorurat kabhi khatam nahi hotah.Ek paal ko lghta hai bas dusre paal laghta hai aur.Hum toh bas rang manch ka khilona hai.

Subah jabh mera ankh khula toh Priya aur Komal mujhse chipak kar sou rahi thi.Dono bahot pyaari lagh rahi thi.Ek taraf mera jeevan sathi Komal dusre taraf mera bahen.Aaj ek bahen paa kar bahot acha lagh raha hai.Main aise hi dono ko dekh raha tha ki Komal angdai lekar uth padi.Mere taraf dekh kar smile kar di.Main bhi smile kar diya.Phir main uski gaal par ek kiss kar diya.Komal Priya ko dekh kar boli.

Komal- Tumhara ladli bahen abhi tak nahi utha kya.

Tabhi Priya uth gayi.Mere taraf dekh kar mere seene se lagh gayi.

Main- Uth gayi meri guddiya.

Priya- Haan bhaiya.

Main- Nind achi ayyi na.

Priya- Bahot dino ke baad ek acha sa nind ayi mujhe.

Main bas ek smile kar di.Zindaghi mein chalne ke liye har ek ko sahara chahiye hota hai.Shayed Priya mujhe sahara mann liya hai.Isliye woh befikar hokar sou gayi thi.Aaj shayed usko ek chaat mil gaya tha.

Phir hum sabh fresh ho gaye.Main raat mein Aakshay ka ek trouser pehna tha aur ek t-shirt.Main woh sabh kholkar phirse kaal wala kapde pehen liya.Aaj janah bhi toh tha.Phir hum sabh nashta kiya.Phir main Komal se kuch baate karke Priya ko lekar nikal padah gaon ke taraf.Priya bahot khush thi.Woh ek doll ke sath khel rahi thi.Woh Komal ko bhi ane ko keh rahi thi.Phir Komal ki halat ke bareme bata kar usko manaya.

Jabh hum ghar pohonche toh Priya ghar dekh kar bahot khush ho gayi.

Priya- Itna badah ghar mein aap akele rehte ho.

Main- Nahi nahi Komal aur meri gudiya bhi toh rahengi.Tumko pasand aya.

Priya- Haan.

Phir main Kamla ko bulaya.

Main- Kamla suno yeh mera bahen hai.Aaj se yeh yehi rahega.Mere sath wala kamra tyaar kardo isske rehne ke liye.

Kamla toh shocked ho gayi meri baat sunkar.Shayed soch rahi hongi ki achanak meri bahen kahan se peida ho gayi.

Main- Aise kya dekh rahi ho.

Kamla- Woh malik aapki bahen kaise.

Main- Aaj se yeh mera bahen hai.

Kamla ko aur kuch puchne ka himmat nahi huyi.Woh chali gayi kamra tyaar karne ke liye.Priya pura ghar ko dekh rahi thi phir Dadi ke photo ko dekh kar boli.

Priya- Bhaiya yeh kyon hai.

Main- Yeh meri Dadi hai.

Priya- Acha phir toh meri bhi Dadi hai.

Phir usne Dadi ke photo ko pranam kiya.Mujhe bahot acha lagah.

Priya- Woh aab kahan hai.

Main- Woh aab iss duniya mein nahi hai.

Priya ko shayed dukh huya isliye uska muh murjha gaya.Main usko halka karne ke liye bola.

Main- Chalo tumhe tumhara kamra dikhata hoon.

Phir main Priya ko lekar uski kamre mein a gaya.Kamla tyaar kar di thi.Priya bahot khush huyi.Woh lapak ke bed mein chadh gayi aur kudte kudte boli.

Main- Bhaiya yeh toh bahot naram hai.

Main bas usko dekhta raha.Khilkhilaye huye hasne laghi woh.Phir maine uski sara saman rakh diya.Phir uss din aise hi ghujar gaya.

Agle subah main Priya ko lekar school chala gaya admit karne ke liye.School Dadi ne banaya tha isliye Priya ko admit kar liya turant.Admission toh khatam ho chuka tha.Priya ko Class 1 mein admit kar diya.Kaal se usko school jana tha.

Main- Priya school pasand aya na.

Priya- Haan bhaiya bahot.

Main- Tumhe yaad hai na kya banna hai tumhe.

Priya- Haan bhaiya doctor.

Main- Toh isliye kya karna hoga.

Priya- Padai karni padegi.

Main- Haan ache se padai karna.Mujhe proud feel karana.

Priya- Ji bhaiya.

Phir hum ghar chale aye.Uss dinin mein Priya ko pura gaon ghumaya.Jinke sath bhi meri mulaqat huya sabh ko maine keh diya tha ki yeh mera bahen hai.Main thakur hoon toh koi kuch nahi kahan.Woh peet piche kya bol rahe honge isse mujhe kuch farak nahi padhta.Main toh bahot khush tha.Phir aise hi pura din ghujar gaya.
 
Back
Top