Zindaghi ka safar ek anokha safar hota hai.Kaise din ghujar jate hai kisi ko malum nahi padhta.Samay toh nadi ka paani ki tarah hota hai jo bas behta rehta hai.Kabh zindaghi ek side se dusre side mein a jate hai kisiko malum nahi padhta.
Iss doo mahine mein meri zindaghi bas Komal Priya aur office mein tham gaya tha.Priya bahot khush thi.Woh school jakar bahot khush ho rahi thi.Uski exam bhi chalu ho gaya tha.Baise toh woh late admission liya tha par woh bahot talented hai.Padai toh aise karti hai jaise Ainstain ki dimagh lekar peida huyi hai.Aab uska exam chal raha tha.Abhi 2 Subject gaya tha aur ek subject baki tha.Komal ka delivary date agle mahine hai.Iss doo mahine mein main nahi gaya Komal ke pas.Sonali bua hi usko doctor dikhane jati thi.Aab office mein kaam badh gaya hai aur Priya ka bhi khyal rakhna padhta hai.Main toh jana chahta tha lekin Komal ne mana kar diya.Kabhi kabhi toh main samajh hi nahi patah ki yeh chahti kya hai.Kabhi kehti hai ane ko kabhi manaa kar deti thi.Par main janta tha mujhe pareshani hogi isliye manah kiya tha.
Main terrace mein khada tha aur taare dekh raha tha.Jaise ganghot andhere mein roshni de raha hai.Aasman ko ujhala de raha hai.Yeh taare hi hota hai jo logon ki zindaghi khushnuma banata hai.Kuch der taare dekh kar main niche chala aya.Tabh 10 baj raha tha.Main Priya ki kamre mein chala gaya woh aapni choti si reading table par bethkar kuch kar rahi thi.Main jakar pas mein beth gaya.
Main- Kya kar rahi hai meri guddiya.
Priya- Kuch nahi bhaiya bas padai revision de rahi hoon.
Main- Main janta hoon tum achi mark se pass ho jaugi.Chalo aab sou jao.Kaal exam bhi hai na.
Priya- Thik hai bhaiya.
Phir Priya ne aapni books ko thikse rakh kar bed mein chali gayi.Main thodi der uske pas beth raha.Phir jabh woh sou gayi toh main aapni room mein a gaya.Main bhi jakar bed mein sou gaya.Kabh nind a gaya patah bhi nahi chala.
Mera nind tabh tootah jabh mera phone bajne lagah.Main nind mein hi phone ko uthakar bola.
Main- Hello kaun.
Sonali Bua- Veer beta main.Komal ko pain shuru ho gayi.Usko hum hospital le ja rahe hai tum jaldi city hospital a jao.
Main jhatke se uth gaya.
Main- Kya.Par aapne toh kahan tha agle mahine date hai.
Sonali Bua- Wohi toh beta.Mujhe bahot ghabrahat ho rahi hai.
Main- Aap ghabraiye maat.Main nikalta hoon.
Main phone cut kar diya.Date toh agle mahine hai phir itni jaldi.Maine bua ko bol toh diya ki tension maat karne ke liye par mujhe bahot tension ho raha tha.Maine time dekha toh tabh 2 baj raha tha.Main jaldi se uthkar niche chala aya.Kamla ko uthakar bola.
Main- Dekho main shahar2 ja raha hoon.Tum Priya ke pas jakar sou jao aur kaal subah usko school chhod dena.Woh puche toh kehna main joruri kaam se bahar gaya hoon.
Kamla- Thik hai malik.
Phir main nikal padah car lekar.Car ko tezz raftar se chalane lagah.Patah nahi kyu mera dil ghabra raha tha.Ek anjani si darr lagh raha tha mujhe.Main jaldi hi city hospital pohonch gaya.Main car se nikal kar hospital ke andar bhaga.Sidha reception ke pas jake pucha.
Main- Mrs.Komal Singh kahan hai.
Receptionist- Jinki bachcha hone wala hai.
Main- Ji.
Receptionist- Operation theatre mein hai woh.
Mera ghabrahat badh gaya.Operation kyu.
Main- Normal mein delivary nahi ho raha hai kya.
Receptionist- Sir mujhe utna toh malum nahi.Aap doctor se puchiye.
Main bhag kar operation theatre ke pas pohonch gaya.Dono uncle Dono bua aur Sonali bua bahar khadi thi.Sonali bua rou rahi thi aur Divya bus sahara de rahi thi.Par bua rou kyu rahi hai.Main jakar unke pas khada ho gaya.
Main- Aap rou kyu rahi hai.Komal thik toh hai na.
Mere baat sunkar Sonali bua khadi ho gayi.Phir mujhse kahin.
Sonali Bua- Patah nahi beta.Doctor keh rahi thi ki normal mein delivary nahi kar sakte isliye scissoring karna padega.Mujhe bahot ghabrahat ho rahi hai.Mainr sunah hai iss mein jaan...
Main- Nahi.Komal ko kuch nahi hogi.Main usko kuch hone nahi dunga.
Unke baat sunkar mera dil bahot ghabra raha tha.Nahi mera Komal ko kuch nahi hoga.Agar kuch ho gaya toh main bhi jinda nahi rahunga.Main bas O.T. ki darwaza ki taraf dekh raha tha aur mera dil dhak dhak kar raha tha.
Karib 30 min ke baad ek lady mask pehenkar bahar ayi.Mask ke piche ki ankh dekh kar mujhe aisa lagah jaise maine kahin yeh ankhen dekha hai.Uss ankh mera jaani pehchani ankhen hai.
Main ek side mein khada hokar bas uss lady ko dekh raha tha woh mujhe nahi dekh rahi thi.Jaise hi woh mask utara mera dil jor jor see dhadakne lagah.Yeh toh Pari hai.Aaj kitne salon baad main dekh rahi hoon Pari ko.
Sonali Bua- Doctor meri bachhi thik toh hai na.
Divya Bua- Pari bolo na Komal thik toh hai na.
Sabh bas puche ja rahi thi par woh kuch nahi bol rahi thi.Main bas usko dekh raha tha.
Kehte hai dubte huye ko tilke ki sahara chahiye hota hai.Jinko woh sahara mil jatah hai woh jee leta hai aur jinko nahi milta woh dubh jata hai.Zindaghi mein logh dard jhel jhel kar age badhte hai.Jinka dard nasur bann jatah hai woh jee nahi pateh.
Pari- Humne unko bachane ki bahot koshish kiya lekin bacha nahi paye.Unka ek beta aur beti huye hai.
Rouna dhona shuru ho gaya tha waha par.Divya bua Sonali bua ko sahara de rahi thi.Mere samne bas Komal ki khilkhilata huya chehra nazar a raha tha.Uski masoomiyat ki woh lamhe mujhe yaad ane lagah.Itna masoom ladki kabhi maar nahi sakti.Dadi ne mere khyal rakhne ke liye usko bola tha.Woh aapna vada nahi todh sakti.
Main- Nahi Komal ko kuch nahi huya hai.
Mere baat sunkar Pari meri taraf dekhi.Woh dekh kar shocked ho gayi.Woh mujhe dekh rahi thi.Sonali bua ko hosh a chuki thi woh rou rahi thi.Main unke pas chala gaya.Main unkii asu pochte pochte kahan.
Main- Nahi maa aap rou kyu rahi hai.Komal ko kuch nahi huya hai.Meri Komall kabhi mujhe chhod kar nahi ja sakti.Usne mujhse vada kiya tha kabhi mujhe chhod kar nahi jayegi.Main abhi usko lekar ata hoon.
Mere ankhon se paani ka sehlav nikal raha tha.Par kyu mujhe patah nahi tha.Main janta tha Komal ko kuch nahi huya hai.Phir bhi kyu nikal raha tha malum nahi.Main bhag kar operation theatre ke andar ghus gaya.Mere piche sabh ghus aya.Maine dekha safed kapde mein Komal leti huyi hai.Uska masoomiyat ka jhalak main dekh raha tha.
Pas mein bed mein bachche the.woh rou rahe the.Main naam ankhon se muskurate huye Komal ke pas jakar khada ho gaya.Main Komal ko hilane lagah.
Main- Komal utho na.Dekho na Maa rou rahi hai.Yeh majak chhodo aur jaldi se uth jao.Main janti hoon tum nautanki kar rahi ho jaise mere sath karti thi.Utho na.
Komal hil bhi nahi rahi thi.Aab mere asu nikalne lagah.Mere halat dekh kar Divya bua boli.
Main- Tum aapna vada todh rahi ho.Tumne kahan tha mujhe chhod kar kabhi bhi nahi jaoge.
Sabh rou rahe the waha khade hokar.Mere halat dekh kar sabhke ankhon se asu nikalne lagah.
Main bilakh bilakh ke roune lagah.
Main- Komal uth jao.Main tumhare bina jee nahi sakta.Dadi ne tumhe mera khyal rakhne ke liye kahan tha na.Tum Dadi ka baat nahi manoge.Uth jao plss.Main main tu tumhe kabhi t t tang nahi karunga.J jo bhi kahoge woh woh karunga.Plss uth jao.T t tumhe maa shabd sunna tha na.D d dekho hamare doo bachche huyr hai.Tumhe maa pukarne ke liye.Tum nahi sunoge.Chalo uth jao.
Main bahot roune lagah.Aakash uncle mere pas akar bola.
Aakash uncle- Beta woh aab kabhi nahi uthegi.
Maine jor se unko dhakka diya woh jhakar deewar se takrayaa.
Main- Nahi mera Komal ko kuch nahi ho sakta.
Main Komal ko bahon mein bhar liya kaske.
Main- Komal uth jao.Dekho na yeh sabh kya bakwas kar raha hai.Hamare bachche ki khatir uth jao.Woh logon ko maa ki jorurat hai.Main unko kya kahonga.Plss uth jao.Tumhe meri Kasam.
Tabhi maine mehsus kiya Komal ek lambi saans lekar awaaz kiya.Machine mein bhi awaaz hone lagah.Main ahista se Usko alagh kiya.Maine dekha uska ankh khula tha.Mera khushi ka koi thikana nahi raha.Main uski pura muh chumne lagah.Main ahista se usko letakar kahan.
Main- Dekha maine kahan tha na meri Komal mujhe chhod kar kabhi nahi ja sakti.Tabhi sabh hamare taraf nazar dala.Sabh daud kar ayi hamare pas.
Sonali Bua- Meri beti zinda hai.
Pari daud kar ayi.Kuch nurse bhi a gayi.Komal shayed bahot weak thi isliye baat nahi kar rahi thi.Woh bas hame dekh rahi thi.
Nurse- Madam inka heartbeat achanak rukh gayi thi.Patah nahi kaise chalu ho gaya.
Pari- Aap sabh bahar jaiye.
Pari bhi shayed rou rahi thi.Main aur sabh bahar akar khade ho gaye.Aab hum sabh ke muh par thoda khushi tha.Hum bahar wait karne lageh.Kuch der mein Pari nikal ayi.
Pari- Yeh ek miracle tha.Bachcha hone ke baad achanak rukh gaya tha dil ke dhadkan.Hame lagah we lost her.Par aab woh thik hai.Par ek baat hai.
Hum sabh khush the ki woh thik hai.Par baat kya hai.
Divya Bua- Kya baat hai.
Pari- Komal aab kabhi bhi maa nahi bann sakegi.Scissoring ke time hame unka nas band karna padah.
Sonali Bua- Meri beti thik hai.Yeh hi mere liye badi baat hai.Mera nati natni kaisa hai.
Pari- Woh dono thik hai.Kuch der mein room mein shift kar diya jayega.Par Komal ko rest karne dijiyega.
Sonali Bua- Jee.
Pari waha se chali gayi.Hum sabh rahat ki saans liya.Subah ki 6 baj raha tha.Mera khushi ka koi thikana nahi raha.Main aaj papa bann gaya.Mujhe uska yeh saas hote hi dil mein alagh sa khushi ho raha tha.Main waha par khada tha aur bua bench pe bethi huyi thi.Kuch der baad Aakash uncle ne chay lekar aya.Sonali bua khana nahi chahti thi lekin jabardasti khila diya.Mujhe bhi chay diya lekin main sirf lekar khada raha.
Kuch der baad nurse akar hume khabar diya ki hum mil sakte hai.Hum uss cabin mein ghus gaye.Komal sou rahu thi.Uski bed ke sath jhule mein dono bachchon ko rakha gaya tha.Main jakar Komal ke pas uski hath pakad kar beth gaya.Woh nind ke agosh mein thi.Uncle aur bua bachchon ke pas chala gaya.
Divya Bua- Yeh dono kitna cute hai.
Sonali Bua- Kisika nazar nahi lageh.
Sonali bua dono ki balaiya li.Woh sabh bahot khush the.
Kajol Bua- Didi pehle mein ghod mein lungi.
Divya Bua- Are tu choti hai.Main pehle lungi.
Aakash uncle- Main sabh se badah hoon toh main lunga.
Sameer uncle- Yeh thik nahi hai jija ji.Main lunga.
Sonali Bua- Nahi nahi main lungi.
Woh sabh jagdha karne lagah.Main unke samne jakar khada ho gaya.
Main- Main kuch kahun.
Sonali Bua- Haan beta tum hi kuch kahon.
Main- Yeh tohoh doo hai.Toh ek ko maa lijiye aur ek ko Divya bua lijiye.Phir ek ko Kajol bua lengi aur ek ko Aakash uncle.
Sameer uncle- Yeh kya baat huya.Main last mein.
Sabh hanse lageh.
Main- Aap dono ko bari bari le lena.
Sameer uncle- Tabh thik hai.
Phir woh sabh ek ek karke lene lagah dono ko.Dono aab sou rahe the.Unke lene par jhagh gaya aur roune lagah.Ek Sonali bua ke pas tha aur ek Divya bua ke pas tha.Sabh dono ko chup karane lageh.Sameer uncle ajeeb ajeeb muh banakar chup karane lageh.
Sonali Bua- Are inn dono ko bhuk laghi hai.Aap dono bahar jaiye.Hum doodh pila dete hai.
Phir Aakash uncle aur Sameer uncle ke sath main bahar a gaya.Dono uncle ne mujhe badai diya.
Aaksh uncle- Patah nahi Aakshay aurur Sahil kaise honge.Hum ghar chalte hai.Khana bhi toh lana hai.
Aakash uncle- Tum bhi thak gaye ho.Tum logh jao main yaha rukh raha hoon.
Main- Nahi uncle aap jaiye sabh ko lekar.Dopeher ko a jana.Main thik hoon yaha par.
Aakash uncle- Thik hai.
Phir badeh mushkil se sabh ko razi kiya jane ke liye.Sonali buaua toh jana nahi chahti hai.Maine jabardasti kiya.Woh sabh ja rahe the main dekh raha tha.Tabhi achanak Divya bua mere pas ayi aur mujhe gale lagah liya.Mujhe toh jaise jannat mil gaya.Pehli baar woh mujhe galeh lagayi thi.Phir woh mere mathe ko chum kar boli.
Divya Bua- Hamisha khush rehna.
Phir woh sabh chale gaye.Main aaj bajot khush tha.Mujhe sabh kuch mil gaya tha aaj.Main Komal ke pas akar beth gaya.Woh abhi bhi nind mein thi.Bachche bhi sou gaya tha.Main raat mein naa soune ki bajase mera ankh lagh gaya.
Uparwala jabh deta hai chappad padhke deta hai.Kisiko dono hathon se deta hai.Kisi se sabh kuch chin leta hai.Par hame nirash nahi hona chahiye uparwale ki kisi bhi karishma se.Hame bas bishwas rakhna chahiye ki woh kuch acha jorur karega.
Main bed ke kinare soya huya tha.Mera nind tabh toota jabh maine aapni chehre par kisi ka hath mehsus kiya.Main ankh kholkar dekha toh Komal mere taraf dekh rahi thi aur meri chehra ko sehla rahi thi.
Main- Tum thik ho na.
Komal halki si muskurat ke sath boli.
Komal- Main thik hoon.
Main- Tum mujhe chhod kar ja rahe the hunn.
Komal- Main kaise thakur sahab ko chhod kar ja sakti hoon.
Main- Jane bhi nahi deta.Main bhi sath chalta.
Komal bas halki si muskurahat diya.Tabhi bachche roune lageh.Komal bachchon ko dekh kar boli.
Komal- Mujhe meri bachche dekhna hai.La dona unko.
Main- Are main kaise unko lekar a sakta hoon.Mujhe toh itni choti si bachchon ko ghod mein lena nahi ata.
Komal- Are kuch nahi hoga.Bas mathe pe ek hath rakhna aur kamar mein ek hath.
Main- Phir bhi mujhe darr lagh raha hai.
Komal- Maine kahan na kuch nahi hoga.Jao aab.
Main ahista se unke pas chala gaya.Woh dono rou raha hai.Phir maine darte darte ek bachcha ko aapni ghod mein utha liya.Jabh maine aapni ghod mein uthaya toh mujhe ek alagh si khushi mil raha tha.Mere ghod mein ate hi woh chup ho gaya.Main Komal ke pas a gaya.Komal ahista se adh leti beth gayi.Main uski ghod mein bachcha de diya.Phir main dusra bachca ko bhi aapni ghod mein utha liya.Main Komal ke pas beth gaya.Maine dekha Komal ke ankhon se asu nikal raha tha.
Main- Rou kyu rahe ho.
Komal bachcha ko kiss karte huye aur uski galon par aapni gaal ragadte huye boli.
Komal- Yeh toh khushi ka asu hai.Maa banne ki khushi.
Dono hi chup the.Aur aapni choti choti ankhon se dekhne lageh.Hum dono unko pyaar karne lageh.
Main- Chalo inka photo lete hai.
Komal- Par kaise.
Main- Main kisiko bulata hoon.
Main bachcha ko lekar bahar a gaya aur ek ward boy ko bulakar laya.
Main- Aap kuch photo nikal sakte hai meri mobile se.
Ward Boy- Haan haan jorur sir.
Maine unko mobile diya.Phir main aur Komal bachchon ko lekar bahot sare position mein photo liya.Ek yaadgar bannana chahta tha.Phir maine wardboy ko 500 rupees diya.Woh khush ho gaya.
Ward Boy- Thank you sir.
Woh waha se chala gaya.Tabhi Divya bua aur Sonali bua ke sath Aakash uncle bhi a gaye.Woh khana le aye the.Main bachcha ko Sonali bua ko de diya.Maine dekha Aakash uncle camera lekar aye the.
Main- Uncle camera kis liye.
Aakash uncle- Hum photo nikalne wale hai.
Main- Sameer uncle aur Kajol bua kahan hai.
Aakash uncle- Woh abhi a jayenge.
Tabhi woh a gaye.Phir hum sabhne photo nikala.Sabhne bachhon ko lekar photo nikala.Yeh silsila tabh khatam huya jabh bachchon roune lageh.Phir main attached bathroom mein jakar fresh ho gaya.
Phir maine aur Komal ne khana khaya.Komal ke liye halka khana tha.Phir Komal bachchon ke sath khelne lageh.Sonali bua aur main reh gaye.Tabhi kisi ka entry se main bas usko hi dekhne lagah...
Pari shayed Komal ko check karne ayi thi.Ankhon mein chashma.Ek safed salwar kameez.Aisa lagh raha tha jaise koi Angel ho.Jo angel chashma pehenti ho.Main aapne mann mein hi has padah.Pari Komal ko check karne laghi.Main bas usko hi dekh raha tha.Pehle uski chehre par ek noor hota tha.Par aab woh kahin gayeb ho gaya tha.
Pari bachchon ke sath has has kar baate karte karte checkup karne laghi.Ek baat maine notice kiya.Pari ek baar bhi mere taraf nahi dekhi.Shayed woh piche mudh kar nahi dekhna nahi chahti.Phir Pari waha se chali gayi.
Patah nahi kyu mujhe bahot dard huya.Uski yeh rutha pann dekh kar.Par usko bhi aapni zindaghi jeene chahiye.Main jakar Komal ke pas beth gaya.Sonali bua dusre taraf bethi thi.Bachche Komal ke pas tha.Hum sabh bachchon ke sath khelne lageh.
Main- Ladka kyon aur ladki kyon patah hi nahi chal raha hai.
Mera baat sunkar dono hasne lageh.
Main- Has kyu rahe ho.Agar patah nahi chal raha hai toh main kya kar sakta hoon.
Phir hum kuch der baate karne lageh.Phir Komal aur bachche rest karne lageh.Main sham ko ane ko kehkar bahar chala aya.Hospital ke bahar akar dekha toh Pari kisi ladke se baat kar rahi thi.Ladka dekhne mein handsome hai.Shayed usne kisi ko dhund liya hai.Chalo acha hai.Phir dono car lekar chale gaye.Mujhe bahot dard huya.Shayed Pari ke liye thoda bahot pyaar tha.Isliye nahi dekh saka kisi aur ko Pari ke sath.Main car mein beth kar gaon ke taraf jane lagah.
Patah nahi kyu mere ankhon se asu nikalne lagah.Kuch na paane ki asu tha shayed.Dil se dua karta hoon khush rehna Pari.Phir main kabh ghar chala aya patah bhi nahi chala.Main ghar ke andar akar dekha Priya hall mein bethkar drawing kar rahi thi.Mujhe dekh kar bhagte huye bhaiya kehkar ayi.Maine usko ghod mein utha liya.
Main- Tumhara exam kaisa gaya.
Priya- Bahot achi.
Main- Khana khaya.
Priya- Nahi.
Main- Kyu?
Priya- Aapke sath khaungi.
Main- Chalo hum khate hai.
Phir main Priya ke sath beth kar thoda sa khaya.
Main- Chalo tyaar ho jao.
Priya- Kyu bhaiya.
Main- Hum Komal ke pas jayenge.
Priya- Wow bhabi ke pas jayenge.Main abhi tyaar hoti hoon.
Woh andar chali gayi.Main aapne kamre mein jakar naha liya.Phir aapne kuch kapde packing kiya.Waha par kuch din rukhna jo tha.Main Priya ke pas a gaya.Woh ek lal frock pehni huyi thi.Lal pari lgh rahi thi.Maine uski kuch kapde packing kiya.Phir hum nikal pade shahar2 ki taraf.
Hum hospitall pohonche toh usne mujhe sawal karna shuru kar diya ki yaha kyu ayye.Maine usko andar le gaya.Jabh woh Komal ko dekhi toh bhag kar uske pas chali gayi.Usko lagah Komal ko kuch huya hai.
Priya- Bhabi aapko kya huya hai.
Komal- Kuch nahi.
Priya- Phir aap yaha kyu.
Main Priya ko lekar bachchon ke pas chala gaya.Woh bachchon ko dekh kar bahot khush ho gayi.Woh unke sath khelne laghi.Phir raat ho gayi.Maine Priya ko aur Sonali bua ko ghar bhejh diya.Raat ko main rukh gaya.Komal aur bachche toh sou chuka hai.Aab hospital mein nind kisko ata hai.Main mobile mein photo dekhne lagah.Kabh nind a gaya patah bhi nahi chala...
Zindaghi ka safar aisa safar hai jo khatam hi nahi hota jabh tak maut na aye.Iss safar mein kitne logh kamiyab hote hai mujhe nahi malum.
Gaalon par kisi ke hath ferane se mera ankh ahista ahista khul gaya.Jabh pura khul gaya toh maine dekha koi darwaza se bhag kar ja rahi thi.Dekhne mein koi ladki lagh rahi thi.Maine bhi bhag kar gaya.Jabh main bahar aya toh koi ladki bahar ki taraf bhag rahi thi.Main bhi piche piche bhag raha tha.
Tabhi main dekha woh ladki ek room mein ghus gayi.Main bahar rukh gaya.Jabh main darwza ki upar naam padah toh waha likha huya tha Dr.Pari.Pari kyu hamare kamre mein ayi thi.Andar jaon ki nahi.Kafi sochne ke baad main ulte pair bapas a hi raha tha ki mujhe sisakne ki awaaz sunai diya.Main bapas darwaza ke samne khada ho gaya.Main darwaza thoda sa khol kar andar dekhne lagah.
Andar Pari aapni chair pe bethi huyi thi aur asu baha rahi thi.Mobile mein dekh kar bol rahi thi.
Pari- Sisakte huye....Veer main tumhe bhul nahi pa rahi hoon.Itne saalon mein main tumhe bhul nahi payi.Doo din baad mera sagai hai Raj ke sath.Papa ke jor dalne par mujhe raaji hona padah.Raj acha ladka hai.Lekin woh tumhare tarah nahi hai.Patah nahi woh kaisa hai.Par papa ke baat main taal nahi saki.Unhone aapna kasam dila diya tha.Socha tha tumhare yaad mein sari zindaghi kaat lungi.Main tumse bahot pyaar karti hoon Veer.Hamisha karti rahungi.Tum khush rehna aapni zindaghi mein.Mera zindaghi mein kya likha hai yeh main bhi nahi janti.
Yeh kehkar woh roune laghi.Mera ankhon se bhi asu nikalne lagah.Kya kiya maine.Kya main Pari ki zindaghi barbad kar diya.Main Komal ke pas a gaya.Komal sou rahi thi.Main bachchon ko dekhne lagah woh bhi sou rahe the.Main jakar ek chair mein beth gaya.
Main aapni zindaghi mein khush ho gaya.Lekin Pari khush nahi ho payi.Main Komal ke sath sukh ki anand leta raha par Pari woh anand nahi le payi.Maine Pari ke sath acha nahi kiya.Kya main Komal ke sath acha kar raha hoon.Mujhe Komal ko sabh kuch pehle bata dena chahiye tha.Maine Komal ke sath dhoka kiya hai.Main beth beth kar asu girate raha.Maine yeh acha nahi kiya.
Tabhi Komal ne mujhe pukara.Maine dekha woh bed mein adh leti bethi huyi thi.Mujhe aapne pas bulaya.Main jakar uski pas jakar beth gaya.
Komal- Kya huya tum rou kyu rahe ho.
Main- Maine tumhe dhoka diya hai.
Komal- Kaisi dhoka.
Main- Jo mujhe tumhe pehle bata dena chahiye tha.
Komal- Kya.
Main- Yehi ki main kisi aur se pyaar karta tha.
Komal- Yeh toh main janti hoon.
Main- Haan par mujhe tumhe batana chahiye tha.
Komal- Par maine toh tumhe kuch nahi kahan na.Toh udas maat ho.
Main- Par main aaj tooth gaya.
Mere ankhon se asu nikalne lagah.
Komal- Kya huya.
Main- Main khud ki zindaghi mein khush raha lekin Pari khush nahi reh payi.Woh aaj bhi mujhse pyaar karti hai.Woh rou rahi hai.Patah nahi kaise itne saal dard ke sath jee rahi hai.Main aaj guilty mehsus kar raha hoon.
Komal kuch nahi kahin bas mujhe dekhti rahi.
Main- Maine bahot galat kiya Pari ke sath.
Komal- Tumne nahi maine.Agar tum mujhse mojburi mein shaadi na karte toh aisa nahi hota.Mere bajase Pari ko itna dukh jhelne padi.Main hi unko sukh dungi.
Main hairani se uski taraf dekhne lagah.
Main- Matlab?
Komal bhi asu baha rahi thi.
Komal- Matlab tum unse shaadi karoge.
Uski baat sunkar toh main hairan reh gaya.Main khada ho gaya.
Main- Yeh kya bakwas kar rahi ho.
Komal- Tumne mujhse vada kiya tha na ki main jo mangunga woh doge.Aaj main mangti hoon ki tum Pari se shaadi karo.
Main- Yeh kabhi nahi ho sakta.
Komal- Dekho Pari ne itne saal bahot dukh jheli.Aab usko thoda khushi de doo.
Main- Uski sagai tay ho chuki hai.
Mere baat sunkar Komal shocked ho gayi.Woh aur kuch nahi kahin.
Main- Aab tum sou jao.
Maine Komal ko sula diya.Main uski pas mein beth gaya.Woh mere taraf dekh rahi thi.Main bas niche dekh raha tha.Khamoshi mein kabh dono sou gaye patah bhi nahi chala.
Komal ko hospital se discharge mil chuki thi.Woh aab Divya bua ke ghar pe thi.Woh aab thik thi.Bas thodi si kamjori thi.Main bhi aapni zindaghi mein bapas a gaya.Pari khush rahe iska dua mangta hoon.Raat din bas ek hi minnat mangta hoon maaf kar dena Pari.Par main uski samne jakar yeh kehna ka himmat juta nahi pa raha hoon.Ek baar laghta hai amne samne se baat karun.Dusre paal laghta hai uski zindaghi mein bapas jana sahi nahi hoga.
Divya bua ke ghar ke terrace par subah subah sabh bachchon ko lekar dhup sikai kar rahe the.Komal aur baki sabh wohi tha.Main kamre mein betha raha.Tabhi kisi ka phone aya.Maine receive kiya.Yeh toh Rishabh uncle ki call hai.
Rishabh- Hello Mr.Veer.
Main pehle time liya samajhne ke liye ki woh mujhe Mr.Veer kyu kahan.Shayed mujhse naraj hai.
Main- Namaste uncle.
Rishabh- Don't call me uncle only Mr.Rishabh.
Main bhi aur kuch nahi kahan.Woh mere upar naraj hai.Hona bhi chahiye.Mere bajase unki beti ko itna dukh uthana padi.
Main- Ji boliye.
Rishabh- Aapko invite karna tha.
Unka har baat mere seene mein khanjar ki tarah chub raha tha.Har baat par narajgi tha.
Main- Kis chiz ke liye.
Rishabh- Meri beti ki shaadi hai na isliye.
Mujhe toh kuch samajh mein nahi a raha hai.Pari ne kahan aaj sagai hai.Yeh shaadi achanak.
Main- Maine toh suna tha sagai hai.
Rishabh- Acha aap khabar bhi rakhte hai.Kamal hai.Par aaj toh shaadi hi hai.Mujhe meri beti ko khush dekhna hai.Aapko aur aapki patni ko invite karta hoon yeh dekhne ke liye ki main aapni beti ke liye aapse acha rishta dhunda hai.
Main- Yeh toh achi baat hai.Par...
Rishabh- Nahi nahi Mr.Veer.Aapko ana hi padega.Aapko dekhna padega meri beti ke liye maine no.1 ladka dhunda hai.
Main- Thik hai sir hum ayenge.
Rishabh- Aapka bahot bahot shukriya.Sham ke waqt shaadi hai.
Unhone call cut kar diya.Mere ankhon se asu nikalne lagah.Jo uncle mujhe aapna bete ki tarah samajhte the aaj woh mujhse aise baat kiya.Shayed main isika layek hoon.
Tabhi Komal kamre mein ati hai.Woh mujhe aise dekh kar boli.
Komal- Kya huya rou kyu.rahe ho.
Maine asu poch kar kahan.
Main- Woh Riahabh uncle ne invite kiya hai aaj.Pari ka shaadi hai.
Komal bhi shocked ho gayi.
Komal- Par aaj toh sagai thi na.
Main- Uncle ko Pari ke chehre par hasi chahiye isliye.Sahi hai na.Uski zindaghi sabhar jayegi.
Komal- Tum jaoge kya?
Main- Hum dono ko invite kiya hai.Uncle ne bahot kahan hai jane ke liye jorur jayenge.Tum tyaar rehna.
Phir uss din mere liye bahot kathin tha.Samay nahi kaat raha tha.Main bhi nahi chahta tha ki aaj ki sham ho.Lekin kya kare kudrat ka niyam toh badal nahi sakte.Bachchon ke sath waqt bitate bitate kabh sham hone ko aya patah bhi nahi chala.Bachche bahot chote the.Unko doodh pilana padhta tha har waqt.Jabh bhi woh route the Komal unko doodh pilate the.
Aab unko chhod kar Komal kaise ayegi.Phir humne tay kiya jaldi laut ayenge.Komal ne ek black colour ko saree pehni.Main bhi black suit pehen kar tyaar ho gaya.Komal ne unn dono ko doodh pila diya.Aab woh 2 ghante tak khana nahi khayenge.Isi bich hame lautna padega.
Hum nikal padeh.Pehle hame ek gift lena tha.Hum ek jewelry shop mein chale gaye.Komal ne ek 10 lakh ka har kharida.Phir usko gift ki tarah wrapper kiya.Phir hum nikal padeh unke ghar ki taraf.
Zindaghi khel bhi ajeeb khel hota hai.Kabhi chin leta hai kabhi lauta deta hai.
Main aur Komal jabh unke ghar ke pas pohonche toh dekha raste se lekar ghar tak sajavat tha.Aisa lagh raha tha koi maharani ki shaadi ho.Par Pari ek rani se kaam nahi thi.Jisko sabh panah chahte hai.Bahot sare logh a rahe the.Main ghar ke bahar car ruka.Main aur Komal car se utarkar gate ki taraf ja rahe the.Waha par Uncle khade the.Jabh unhone mujhe dekha toh aisa shakal banaya ki patah lagh raha tha ki kitna naraj hai woh mujhse.Main jakar unke samne khada ho gaya.
Main- Namaste uncle.
Komal bhi namaste kiya.
Rishabh- Are andar jaiye Mr.Veer.Aap hamare mukhya atithi hai.Jara dekhiye maine meri beti ke liye kitna acha damad chuna hai.
Main aur koi baat nahi kiya.Main andar ghus gaya.Ghar ko lighton se saja ke rakha tha.Charo taraf sajavat.Koi kaami nahi tha.Hamne jakar gift jama kar diya.Phir Main Komal ko lekar ek jagah khada ho gaya.Shayed abhi tak barat nahi aya tha.Maine Komal ko ek chair pe betha diya.Main uski pas khada ho gaya.Tabhi waha par ek waiter aya.Uske pas sharbat tha.Maine ek glass Komal ko diya.Komal ki zid karne par maine bhi ek glass liya.
Mera mann nahi tha kuch khane ko isliye sirf lekar khada raha aur charo taraf dekh raha tha.Mujhe Shakuntala aunty dikhai diya.Woh bhag daud kar rahi thi.Jabh unhone mujhe dekha toh thodi der mujhe dekhti rahi.Unki ankh naam ho gayi.Unko dekh kar mere bhi ankh mein naami cha gaya.Main aur nahi dekh saka.Main nazar hatah liya.Woh ghar ke andar ghus gaye.
Rishabh uncle logon ka swagat kar rahe the.Sabh kuch tyaar ho chuka tha.Komal ek jagah beth beth kar bore ho gayi thi.Isliye hum chalne lageh.Komal meri ek baju pakad kar chal rahi thi.Hum chalte chalte Pari ke kamre ki balcony ke pas chala aya.Na chahte huye bhi maine ek baar Pari ki balcony ke aur dekha.Waha par kuch ladkiyan khadi thi.Patah nahi kyu mera dil jor jor se dhadak raha tha.
Tabhi humne dekha sabh logh gate ki taraf ja rahe the.Shayed barat a gaya tha.Shakuntala aunty aarti ki thali lekar gayi waha par.Main aur Komal dhur se dekhne lageh.Yeh wohi ladka hai jisko maine Pari ke sath hospital ke bahar dekha tha.Sabh rasam niptakar Shakuntala aunty ghar ki taraf ja rahe the.Par maine ek chij notice kiya tha ki Rishabh uncle jaise jhut mut ka smile kar rahe the.Ladke ko mandap mein betha diya gaya.Main aur Komal bhi jakar mandap ke pas chairs mein beth gaye.Pandit mantra padhne lageh.
Kuch der baad Pandit ne kahan.
Pandit- Kanya ko bulaiye.
Shakuntala aunty andar chale gaye.Main bhi ghar ki taraf dekh raha tha.Pari ko akhri baar dekhne ke liye.Kuch 5 min baad Pari ko ladkiyan le a rahe the.
Kya yeh swarg ka apsara hai kya.Ek lal saree mein.Ghungat udkar.Kisi ko bhi dewana bana sakti hai.Main uski taraf dekha.Woh dhime kadmon ke sath a rahi thi.Main aur sabh uski taraf dekh raha tha.Jabh woh mandap ke pas se ghujar rahi thi toh woh mujhe dekhi.
Main bhi uski ankhon mein dekhne lagah.Aisa lagh raha tha ankhon se aag nikal rahi hai.Ankhon mein ek dard tha.Jiske age mein dekh nahi paya.Aapna palke jhuka liya.Pari ke chehre par shaadi ka koi khushi nahi thi.Aisa lagh raha tha jaise koi robot ka shaadi karva raha hai.Main dil se Pari se maafi mangne lagah.Komal mere kandhe par hath rakhi.Uska ankh bhi naam thi.Maine usko ek halki si smile diya.Phir main waha beth gaya gardan niche karke.Main Pari ki aur dekh nahi pa raha hoon.
Pandit ki mantra mere kano mein ghunj raha tha.Main chahta tha yeh pal rukh jaye.Par samay ko koi rokh nahi patah.Unka paire ho gaya tha.
Pandit- Aab baar kanya ke mang mein sindoor lagaiye.
Mera saans jor jor se chalne lagah.Mera Pari mujhe chhod kar chali jayegi.Mera dil ka har tukra cheekh cheekh kar keh raha tha nahi nahi.Par main kuch kar nahi pa raha tha.Tabhi......