Sameer aur Priya ki team aage ghumne ke liye nikle hi the ki thodi dur chalne ke baad Shruti Sameer se kehti hai.
Shruti:- Sameer...Mai aur aage nahi chal paaungi...Thoda sir dard (headache) hai aur rest karna chahti hun...Aasmaan me baadal bhi aa gaye hai aur baaris bhi ho sakti hai...Aur aise me mera nikalna thik nahi hoga.
Sameer:- Haan thik keh rahi ho...Tumhe abhi rest karna chaahiye...Agar tum kaho to mai aur Rajesh bhi ruk jaate hai.
Sameer ne fikar jataate hue kaha.
Shruti kuch bolti isse pehle hi Rajesh kehta hai.
Rajesh:- Excuse me Sameer...Tujhe yaha rukna hai to ruk mai nahi rukne waala.
Rajesh ne Shruti ki taraf gusse se dekhte hue kaha...Aur uski baat se pata chal raha tha ki kitna gussa dabaa kar rakha hai Rajesh ne Shruti ke liye apne dil me.
Sameer:- Ye kya keh raha hai Rajesh? Shruti hamaari dost hai...Aur tu uske baare me aisa kaise bol sakta hai?
Sameer bhi thoda gussa ho gaya Rajesh par.
Rajesh:- Hamaari nahi sirf teri dost hai...Maine kabhi isse apna dost nahi maana...Aur tera yaadasht accha hai to tujhe ye pata hona chaahiye ki hamaare bich ladaayi bhi ho chuki hai aur mai kabhi isse baat bhi nahi karta.
Mai to sirf iss liye tera saath rehta hu kyu ki tu mera dost hai...Mai iss ladki se koi matlab nahi rakhna chaahta aur tere kehne par iss ladki ke liye apna trip miss nahi karna chaahta.
Tum dono decide kar lo aur jaldi se bataao ki tujhe aana hai ya nahi.
Rajesh ki har aawaj me Shruti ke liye nafrat tha...Udhar Shruti bhi bahut gussa ho gayi thi Rajesh ki baat sun kar lekin wo show nahi karti...Bas apne man me sochti hai.
Shruti:- (In her mind) Jitna bolna hai bol le...Pehle Priya aur uski team ko maja chakhaungi fir aur uske baad tera number aayega.
Shruti ye soch hi rahi thi ki Sameer ne Rajesh se kaha.
Sameer:- Tu jaa aur maje kar...Mai Shruti ke paas rahunga...Shaayad usse meri jarurat pad jaaye.
Sameer ki baat sunne ke baad Rajesh jaane hi waala tha ki Shruti ki voice sun ruk gaya.
Shruti:- Nahi Sameer...Tum bhi jaao...Bas chhoti si sir dard hai...Rest karungi to thik ho jaayega...Maine to mausam ko dekh jyaada tabiyat na bigad jaaye ye soch kar rest karne ka decision liya hai...Warna mujhe bhi jaane ka man tha.
Sameer:- Nahi mera bhi jaane ka man nahi hai....(Rajesh ki taraf dekhte hue) Kisi ki baat se mera mood kharab ho gaya hai.
Shruti:- Nahi Sameer tum jaao...Mai ye nahi chahti ki tum meri vajah se yahi raho...Thoda sa sir dard hai rest karungi to thik ho jaayega...Aur apna mood thik kar lo aur jaakar enjoy karo...Roj aise ghumne ka mauka nahi milta hai aur jab mil raha hai tab aisi chhoti chhoti baato ko ignore karke enjoy karna chaahiye.
Fir bhi Sameer nahi maana...Wo Shruti ko akele chhod jaana nahi chaahta tha...Lekin Shruti ke aage uska kuch nahi chala.
Sameer:- Are you sure? Mai chala jaau.
Shruti:- Abb jyada der mat karo...Pehle hi tum sab late ho gaye ho.
Sameer:- Ok thik hai mai jaa raha hu...Apna khayaal rakhna.
Itna keh kar Sameer aur Rajesh nikal gaye...Rajesh ko abb raahat mila Shruti ki bakwaas se.
Shruti ko koi sir dard nahi hua tha...Uska mood kharab tha Sameer ka usko wish na karne ki vajah se...Aur agar wo ghumne jaati to waha pe Karan aur Priya bhi mil jaati...Aise me uska bigda hua mood aur kharaab ho jaata...Aaj uska birthday tha to wo apna mood aur kharab karna nahi chaahti thi.
Sameer ko jabardasti bhejne ke picche bhi ek maksad tha...Jab Rajesh ki baat se Sameer gussa ho gaya tha tab Shruti ko ek mauka mila...Shruti jaanti thi Sameer jaldi gussa nahi hota hai aur jab hota hai uska gussa bahut khatarnaak hota hai...Aise me agar Sameer ko Priya ya Rajesh par gussa aaya to tamasha hona tay tha.
Abb ye sab baat ko bhul kar Shruti apne birtbday aur Priya ko beizzat karne ka sochne lagi.
Udhar raaste me Sameer aur Rajesh khaamoshi ke saath chal rahe the...Sameer Rajesh se naraaj tha to Rajesh Sameer ka gussa kam hone ka intejaar kar raha tha taaki wo Sameer se baat kar sake...Jab bahut der chalne ke baad bhi Sameer ka gussa shaant nahi hua to Rajesh ne keh hi diya.
Rajesh:- Sameer mujhe tujhse kuch kehna hai.
Rajesh ki baat par Sameer Rajesh ko gusse se ghur kar dekhta hai aur kehta hai.
Sameer:- Rajesh please...Abhi mera mood thik nahi hai...Aur mai koi baat karna nahi chaahta.
Lekin Rajesh ko kuch fark nahi pada...Wo apna baat har haal me kehna chaahta tha.
Rajesh:- Pehle ye bata ki tu gussa kyu hai.
Sameer:- Teri vajah se...Tune jo Shruti se kaha wo mujhe bilkul accha nahi laga...Aaj uska birthday hai aur tune aaj uske saath aise baat kiya.
Rajesh:- Mai tujhe pehle bhi keh chuka hu...Mujhe usse koi matlab nahi hai...Aur uske liye accha din ho ya bura isse bhi matlab nahi.
Mai bas ye kehna chaahta hu tujhse ki tu apne dost ko samjha de...Kabhi Divya aur mere baare me kuch ulta sidha baat na kare aur mujhe hukum naa de...Teri vajah se bardaast kar raha hu...Warna mujhe uss ladki se koi matlab nahi aur mai uski koi bhi baat maana nahi chaahta...Wo bas apme kaam se hi matlab rakhe to accha hoga...Wo bas tujhse dosti rakhe mujhse nahi.
Mai bas tujhse dosti rakhna chahta hu...Aur yahi bataana chaahta hu ki tu uss ko sambhaal le baat bigadne se pehle...Mai bhi apni taraf se kosish karunga usse dur rehne ka.
Mai ye nahi kahunga ki tu usse dosti chhod de...Teri life hai jo karna hai kar...Mujhe koi problem nahi tera najdeeki uske saath badhe yaa fir dooriya badhe...Mai bas usse dur rehna chahta hu.
Uski puri baat sunne ke baad Sameer bola.
Sameer:- Ye sab baad me sochenge...Abhi ghumne aaye hai ....Iss baat se hame hamaara mood kharab karna nahi chaahiye...Chal abhi ghumte hai baad me iss baare me baat karenge.
Sameer ki baat se lag raha tha ki wo relax hone ki koshish kar raha hai lekin abhi tak ho nahi paaya tha.
Iske baad dono map se address dekh pahunch jaate hai uss jagah jaha par sabhi gaye the aur enjoy kar rahe the.
Uss jagah ka maahaul dekh Rajesh aur Sameer apni tension bhul enjoy karne lage.
Der se hi sahi lekin Rajesh aur Sameer uss pahadi ilaake me pahunch hi gaye...Waha pe pahunch kar dekha to sabhi apni dosto ke saath ghum rahe the aur masti kar rahe the...Teacher ne bhi keh diya tha ki jyaada dur na jaaye.
Aise hi ghumte ghumte Sameer ki najar Priya aur uski dosto par jaata hai...Priya aaj bahut dino ke baad aise muskuraa kar enjoy kar rahi thi...Wo bahut hi pyaari lag rahi thi...Lekin Sameer ko isse kuch fark na pada...Wo usse ignore karke dusri taraf jaane lagta hai.
Sameer aage badh hi raha tha ki Rajesh ki aawaj se ruk jaata hai.
Rajesh:- Mujhe Divya bula rahi hai...Kuch time ke liye usse baat karke aata hu...Tujhe jaana hai to jaa aur intejaar karna hai to kuch der ke liye ruk.
Rajesh ki aawaj se lag raha tha ki abhi bhi uska gussa khatam nahi hua tha.
Sameer:- Ok jaa...Mai intejaar karta hu...Lekin jaldi aana.
Sameer ne muskuraate hue kaha...Wo picchli baato ko bhul jaana chaahta tha...Lekin Rajesh kuch kahe bina hi chala gaya.
Rajesh aur Divya kareeb aadhe ghante tak baat karte hai...Sameer bore ho gaya tha lekin fir bhi intejaar karta raha...Rajesh aur Divya ko haste baat karta dekh uska frustration bhi badh raha tha...Lekin wo kar bhi kya sakta tha...Rajesh ne to usse keh diya tha ki agar wo rukna nahi chaahta to jaa sakta hai...Khair kuch der baad uska intejaar khatam ho gaya...Divya se baat karne ke baad Rajesh aa gaya...Rajesh ke chehre me abhi bhi muskaan tha.
Sameer:- Lagta hai bahut gehri dosti hai...Iss liye itni der tak baat kar raha tha..
Rajesh:- Haan bahut jyaada.
Rajesh bahut time baad Divya se baat karne ke baad aaj muskuraaya tha...Aur wo Sameer se fir se ladkar apna mood kharab karna nahi chaahta tha...Aur jitna ho sake utna Sameer ki baat ko ignore karna chaahta tha kuch der ke liye.
Sameer:- Ye dosti hi hai yaa dosti se badhkar.
Sameer ko laga yahi accha vakt hai Rajesh se baat karne ka aur ladaayi khatam karne ka...Rajesh bhi accha mood me dikh raha tha aur shaayad isse accha mauka Sameer ko nahi mil sakta tha.
Rajesh:- Haan bahut acche dost hai hum...Tu jis tarah se pucch raha hai isse to yahi lag raha hai ki tu mujhe indirectly puch raha hai ki kahi mai Divya se pyar to nahi karta...To iska jawaab ye hai ki abhi tak pyaar ke baare me socha nahi...Lekin kuch pata nahi aage kya ho...Aur hamaari dosti bhi utni hi gehri hai jitna Shruti aur tera.
Rajesh ko abhi Sameer ki har ek baat kadwa lag raha tha...Aur chhidhte hue usne Sameer ko jawaab diya.
Sameer:- Ajeeb dosti hai hamaara...Tu aur mai bahut acche dost hai...Shruti meri dost hai aur Divya teri...Shruti tujhse nafrat karti hai aur Divya mujhse...Pata nahi aage kya kya hone waala hai hamaare saath.
Sameer ne Rajesh ka gussa kam karne ke liye muskuraate hue kaha...Lekin Rajesh ka daba hua gussa abb baahar nikal raha tha.
Rajesh:- Bilkul galat...Shruti jaisi ghatiya ladki nahi hai Divya...Wo tujhse nafrat nahi karti...Usse kisi ko bevajah nafrat karne ka faltu time nahi hai jaise ki Shruti ke liye...Sameer tu bata...Mai to Shruti se baat nahi karta tha aur naa hi Divya...Priya aur Karan ka bhi usse koi lena dena nahi tha...To kyu wo sabhi se nafrat karti hai...Chal maan leta hu ki wo tujhe apna dost maanti hai aur tere dushman ko apna dusman...To fir teri dusmani mujhse aur Divya se to nahi hai...To fir wo kyu hamaare picche padi hai?
Shaayad baat samajh me aa gaya hoga tujhe...Aur tujhe itna hi kahunga ki galti se bhi Divya ka comparison uss Shruti se mat karna...Kaha shaant aur sabka care karne waali Divya aur kaha wo bevajah sabse nafrat karne waali Shruti.
Galti se bhi compare mat karna...Warna accha nahi hoga....Tune aaj tak shaant Rajesh ko dekha hai...Agar mera gusse ki aag bhadak gaya to sab kuch jal ke rakh ho jaayega.
Rajesh ne apne andar kaid gusse ko aaj baahar nikaal hi diya...Shruti ke liye jitna nafrat tha usse baahar nikaal hi liya...Last ki lines ko bolte hi uske aankhe gusse se laal ho gaya...Divya se baat karne ke baad chehre me jo muskaan aaya tha pal bhar me wo gaayab ho gaya.
Sameer to Rajesh ko bas dekhta hi raha...Kabhi socha nahi tha usne ki Rajesh itna gussa bhi ho sakta hai...Usne socha ki filhaal bahas karna thik nahi hai...Jaise bhi karke Rajesh ko shaant karaana chaahiye.
Sameer:- Teri baat bhi apni jagah sach hai...Mujhe bhi nahi pata yaar Shruti aisa kyu behave kar rahi hai...Mai usse samjha dunga ki tujhse koi matlab na rakhe...Aur tujhe apne tarike se jeene de...Abb to thik hai na.
Sameer ko ummeed tha ki abb Rajesh ka gussa shaant ho jaayega.
Rajesh:-Ha jarur samjhaana...Aur jitna jaldi ho sake utna hi accha hai...Warna pata nahi mai kya kar baithu.
Sameer:- Accha shaant ho jaa yaar...Bol dunga usse...Abb to khus hai na...Chal abb gussa thuk de aur pehle jaisa Rajesh ban jaa aur chal enjoy karte hai...Chal pahad par chhadhte hai thodi dur tak.
Sameer ne muskuraate hue kaha...Uski iss baat se Rajesh ka gussa kam ho gaya...Aur usne bhi socha ki kyu Shruti ki vajah se apna mood kharab karke trip kharaab kare.
Iske baad dono hi dost chal padhe ghumne aur masti karne...Kuch pal baad Rajesh ka gussa bhi khatam ho gaya aur wo bhi Sameer ke saath normal ho kar baate karte hue ghumne laga...Dono pahaad ka environment dekh bahut khus ho gaye...Nayi nayi najaare aur thandi hawayein mehsoos kar ke dil khus ho gaya dono ka...Chhidiyon ki pyaari aawaj aur ekaant jagah ghumne me bahut majaa aa raha tha unhe...Unhe lag raha tha ki wo alag hi duniya me aa gaye hai...Shehar ki crowd, pollution, noise aur ghutan se dur ek alag hi duniya me ye dono aa gaye hai...Ye dono aise hi ghum rahe the ki Rajesh bola.
Rajesh:- Sameer tu bhi bahut ajeeb insaan hai yaar...Khud hi kehta hai ki koi tej aggressive ho kar tujhse baat kare ye tujhe pasand nahi lekin aaj to gusse me maine kitna kuch bol diya fir bhi tu shaant reh kar muskuraate hue mujhe samjhaane laga.
Rajesh ne hairaani me puccha to Sameer ne muskuraate hue jawaab diya.
Sameer:- Tu acche se mujhe nahi jaan paaya yaar...Gusse me hi sahi lekin tune jo bhi bola ekdam sach bola...Aur tu apne andar daba hua gussa baahar nikaal raha tha...Agar koi meri galti ke bina mujhse aggresively baat kare to mai usse nahu chhodta...Tu to mera dost hai yaar...Tujhse galti ho bhi gaya to bhi maaf kar dunga lekin tune koi galti kiya hi nahi tha to fir mera gussa hone ka sawaal hi nahi hai...Ek baat jaan le tu mera dost tha, hai aur rahega...Shruti to baad me meri dost bani hai...Uski jidd ke saamne mai tere saath kabhi bura bartaaw nahi karunga.
Sameer ki baat sunn Rajesh bahut khus ho gaya...Khushi iss baat ka tha ki Shruti ke aane ke baad bhi unn dono ke dosti par koi asar nahi pada hai.
Ye dono kuch aage badhe hi the ki tabhi jor se baarish hone lagti hai...Aas paas theharne ka koi jagah bhi nahi tha.
Rajesh:- Sameer hame waapas chalna chaahiye...Ye baarish jaldi rukne waali nahi hai...Niche camp hai chal jaldi se waha pahunchte hai aur baarish se bach jaayenge...Warna bimaar pad sakte hai ham.
Sameer:- Ha thik kaha...Chal jaldi se waapas...Yaha theharne ki jagah bhi nahi hai...Pehle niche camp me jaate hai...Waha se jugaad lagayenge hotel jaane ka...Aaj Shruti ka birthday hai aur abhi tak maine usse wish bhi nahi kiya...Jaldi se jaana hoga hame.
Itna keh kar Sameer aur Rajesh bhaagne lagte hai niche ki taraf...Tabhi unhe ek ladki ki tej aawaj sunaai deti hai "Bachaao"...Wo dono thodi der ruk jaate hai...Dobaara aawaj nahi aata to laga unhe bhram hua hai baarish ki aawaj me...Wo fir se niche camp ki taraf daud lagaate hai.
Ki tabhi fir se ladki ki "Bachaao, Koi hai,help me" ka aawaj aata hai...Iss baar dono sure ho jaate hai ki ye ladki ki aawaj hi hai.
Rajesh:- Sameer...Sach me koi ladki mushibat me hai yaar...Chal ham help karte hai.
Sameer:- Nahi tu jaa...Mai dekhta hu kya mushibat hai uss ladki ka...(Side me khaai ki taraf ek ladki ki latakte hue haath ko dekhte hue) Wo ladki gir rahi hai..Mai bachaata hu usse aur bacha lunga...Tu ruka to tera tabiyat kharab ho jaayega...Tujhe sardi lag jaayega...Tu jaldi se camp ki taraf jaa aur baarish se bach...Mai bacha lunga uss ladki ko.
Sameer ne ladki ki taraf daudte hue kaha tha...Rajesh ko bhi bharosha tha ki wo uss ladki ko bacha lega...Aur iss me uska kaam nahi tha...Ulta dono aur bimaar pad sakte the...Wo niche ki taraf chala gaya.
Sameer ne jaise hi apni baat khatam kiya wo ladki ke kareeb pahunch hi gaya...Aur jaldi se usne ladki ko upar khinchne ke liye kadam aage badhaaya hi tha ki tabhi wo bhi fisal gaya.
Jab Sameer ne kuch kadam badhaya Priya ki taraf tab Sameer bhi barish ki vajah se achanak se slip ho gaya aur girte hi uski munh se ek cheekh nikla "Ouch".
Ye cheekh utna tej to nahi tha lekin saamne gir rahi Priya sunn leti hai...Priya ko bachne ki umeed fir se aa gaya aur aawaj se pata chal gaya ki wo ladka ka cheekh hai.
Priya bhi madad ke liye boli.
Priya:- Please mujhe bacha lijiye...Abb mera haath ka pakad kam ho raha hai...Haath fisal raha hai...Please abhi mai marna nahi chaahti...Please bacha lijiye mujhe.
(Marne ka dar kise nahi hota...Saamne maut najar aane se Priya bhi ek dam dar gayi thi aur Sameer se madad maang rahi thi...Wo itna ghabra gayi thi ki uska dar uski aawaj se hi pata chal raha tha...Aur upar se jordaar baarish ki aawaj...Koi bhi ye nahi keh sakta tha ki ye aawaj Priya ka hai...Aur Sameer bhi iss haalat me nahi tha ki wo kiska aawaj hai aur kaun niche gir raha hai iske baare me pata kare.)
Sameer:- Aap ghabraaiye mat...Aapko bachane hi aaya hu...Please aap himmat mat harna aur kuch der ke liye acche se patthar ko pakde rakhiye...Mai gir gaya hu ...Jaldi aa raha hu...Aap khud ko sambhaale rahiye.
Sameer ne bhi fikar ke saath kaha...Wo aage badhte hue Priya ko hausala de raha tha...Priya ne bhi Sameer ki tarah uske aawaj ko nahi pehchana...Lekin Sameer ki baat se uska ummeed aur badha ki wo ladka usse bacha lega...Bas abb usse kuch pal ke liye khud ko sambhalna tha.
Sameer bhi jaldi se Priya ki aur kareeb pahunch gaya...Aur jaise hi niche jhuk kar Priya ka haath pakadne waala tha ki fir se Sameer ka pair fisal gaya aur fir se Sameer gir gaya...Iss baar girte vakt Sameer ka baaya haath ek patthaar se buri tarah cheel gaya aur usme se khun tapakne laga...Ye Priya dekh leti hai aur ghabraa jaati hai.
Priya:- Aap thik to hai na?
Sameer:- Haan thik hu...Bas pair slip ho gaya tha...Chinta ki koi baat nahi...Mai aa gaya hu.
Itna keh kar Sameer gire hue hi thoda aage badh kar apne daaya haath se Priya ka kalaayi pakad leta hai aur upar khinchne lagta hai...Lekin khinch paana bahut mushkil ho raha tha.
Abb Priya hawaa me latak gayi thi...Niche 200 ft ka gehra khaai tha...Bas Sameer ke haath ne usse pakad rakha tha...Aur koi support nahi tha.
Jab Sameer ko laga ki wo uss ladki ko aise khinch nahi paayega tab wo apna dono haath se Priya ka kalai pakad leta hai...Aur apna saara taakat istemaal karke Priya ko khinch hi leta hai...Iss pure ghatna ke dauraan naahi Sameer ne Priya ko aur nahi Priya ne Sameer ko dekha tha.
Priya jaise hi upar aa gayi...Usne ek lamba saans lekar raahat mehsus kiya...Wo to shaayad ummeed bhi chhod chuki thi ki wo bachegi...Thoda idhar udhar dekh ke jab wo Sameer ki taraf dekhti hai tab usse Sameer ka peeth dikhai deta hai...Wo kuch kehne hi waali thi ki Sameer jaldi se daudte hue niche ki taraf jaata hai aur kehta hai.
Sameer:- Sorry...Lekin mai abhi busy hu...Baat karne ka time nahi hai.
Sameer ko Priya ko upar khinchne ke baad firse yaad aaya ki Shruti ka birthday hai aaj aur usne Shruti ko wish nahi kiya hai...Aur shaam bhi hone laga hai to Shruti bhi uska intejaar kar rahi hogi...Wo jaldi se Shruti ke paas jaana chaahta tha aur Priya se formal baat karke time waste nahi karna chaahta tha...Sameer ko baat karna jaruri mehsoos bhi nahi hua...Usne apna kartavya pura kiya uss ladki ko bachakar aur yahi uske liye kaafi tha.
Priya ko thoda buraa lagta hai aur thoda afsosh bhi hota hai uss ladke se baat na karne ke liye...Fir wo sochti hai ki Karan kaha chala gaya jab wo niche gir gayi thi tab usse bachaane ke liye keh kar...Fir usse lagta hai ki usse Karan ne hi bachaya hai kyuki aaj Sameer aur Karan ka getup luckily same tha...Dono ka height bhi laghbhag same hi tha...Usse lagta hai ki ye ladka Karan hi hai aur usse thanks kehne ke liye niche camp me chali jaati hai.
Dono apni apni makshad se niche ki aur jaate hai lekin iss baat se puri tarah anjaan ki inn dono se thodi dur khada Karan sab kuch dekh raha hai aur kuch soch kar apna haath ko khud se hi bilkul Sameer ki tarah injured kar leta hai aur wo bhi shortcut lekar niche camp ki taraf daud laga deta hai.
Niche ek ground par 4 jagah par tent laga tha baarish se bachne ke liye...Teacher aur waha par maujood student ne decide kiya ki wo log iss baarish me hotel tak waapas nahi jaa sakte hai...Aur jab tak baarish nahi rukta wo sabhi yahi tent par rukenge...Aur jaldi jaldi 4 jagah par tent laga diya.
Sameer ka niche pahunchne ke saath hi wo apna haath cheel jaane ki vajah se ghadi nikaal kar ek safe jagah par rakh deta hai aur ek tent me ghus jaata hai...Aur thoda paani lekar apne mitti laga hua dress ko saaf karne lagta hai.
Sameer khud ko thik kar raha tha ki Karan ne bade saawdhaan ho kar uss jagah se Sameer ka ghadi utha leta hai aur wo bhi kuch der tak Sameer ki najro se bachne ke liye alag camp me chala jaata hai aur Priya ka intejaar karne lagta hai.
Kuch time baad Priya bhi niche aa jaati hai...Aur Karan ke haath me Sameer ka ghadi aur ghaaw dekh usse yakin ho jaata hai ki Karan ne hi usse bachaya tha...Priya Karan ke paas jaati hai aur shukriya bhari najar se Karan ko dekhti hai...Aaj wo ek alag najar se Karan ko dekh rahi thi...Karan ke liye uske dil me izzat aur bhi badh gaya...Wo bol to nahi rahi thi lekin ek alag najar se Karan ko dekh rahi thi aur kuch alag mehsoos kar rahi thi..
Karan ke chehre me bhi muskurahat aa jaata hai aur usse bhi lag raha tha ki bahut jald Priya uski ho jaayegi.
Sab kuch thik karne ke baad Sameer teacher se request karke hotel ke liye nikal jaata hai...Teacher aur Rajesh ne unhe rokne ki bahut koshish kiya lekin wo nahi maana aur Teacher ko jaise taise manaa kar hotel ki taraf Shruti ke paas jaane ke liye nikal gaya waha se.
Jaate vakt usne apna ghadi lete hue jaane ka socha...Jab wo ghadi ke paas pahuncha to ghadi ko gaayab dekh usse bahut gussa aaya...Lekin wo kuch kar nahi paaya...Pehle hi usse der ho gaya tha aur aise me aur der nahi kar sakta tha..
Wo gusse me chal pada hotel ki taraf...Lekin usse kaha pata tha ki ye to gusse ka suruwaat hai...Aage Shruti ka Priya ke khilaaf jo plan tha uski vajah se Sameer ka gussa aur badhne wala hai aur saath me Sameer aur Priya ki nafrat jo aage jaakar ek bahut bada tufaan ka roop lene wala hai.
Sameer teji se hotel ki aur jaa raha tha...Wo aur der nahi karna chaahta tha...Shruti ko surprise dene ki chakkar me pehle hi wo bahut late ho chuka tha...Abb wo bas jaldi se hotel tak pahunchna chaahta tha...Usko hotel pahunchne ka itna jaldi tha ki wo ye bhi bhul gaya ki wo baarish me bhig gaya hai yaa kuch samay pehle wo bahut gussa tha...Wo bina ruke bahut teji se hotel ki taraf jaa raha tha.
Raaste me hi ek Bakery se usne order kiya hua cake le liya aur bina koi der kiye pahunch gaya hotel me aur jaakar Shruti ke room me knock karne laga.
Shruti to pehle se hi udaas baithi thi apne room me aur khud ko hi kosh rahi thi ki Sameer ko jaane de kar usne bahut bada galti kar diya hai...Khidki se baahar baarish ko dekh rahi thi ki kab ye vaarish khatm hogi aur wo Sameer se mil paayegi...Baahar ho rahi tej baarish dekh kar usko pata to chal gaya tha ki ye baarish 1 ya 2 ghante se pehle nahi rukega...Matlab kuch pal aur intejaar karna padega.
Shruti ko Sameer par gussa bhi aa raha tha ki Sameer kaise uska birthday bhul sakta hai...Kuch din pehle hi to usne bataya tha Sameer ko ki aaj uska birthday hai...Lekin Sameer ne wish karna to dur thik se baat bhi nahi kiya tha usse...Sabhi relatives aur khaas dost ne usko wish kar diya tha lekin Sameer ne abhi tak nahi...Yahi baatein sochte hue Shruti udaas ho gayi thi.
Jab uska gate knock hua to gusse me wo door ke paas gayi aur kholte hi gate me khade Sameer par baras padi.
Shruti:- Kyu disturb kar rahe ho mujhe? Aur kyu baar baar gate knock kar rahe ho?
Shruti ne socha koi aur hi hoga...Aur Shruti uss vakt baat karne ke mood me nahi thi to apna saara gussa gate par khade shaks par utaar diya.
Lekin jab usne gaur se Sameer ko dekha to wo ekdam se hairaan ho gayi...Usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki kaise react kare.
Shruti:- Sameer tum!!!Aur tumhaara ye haalat kaise...Jaao pehle apne room me aur acche se nahaalo warna bukhaar lag jaayega.
Shruti ki aawaj se hi lag raha tha ki wo kitna hairaan hai...Usne Sameer ka iss haalat me aane ka bilkul bhi expect nahi kiya tha.
Sameer:- Kuch jaruri kaam ke liye aaya tha...Warna mujhe koi shaukh nahi vaarish me aise bhaagte hue aane me...Apna kaam pura karke hi nahaane jaaunga.
Sameer ne muskuraate hue kaha.
Shruti:- Aisa kaunsa kaam hai ki tum aise vaarish me bhaagte hue aa gaye aur wo bhi mere kamre me.
Shruti Sameer ki har baat pe aur bhi jyada hairaan ho rahi thi.
Sameer:- Wo bataane se jyada dikhane me hi accha hoga.
Sameer ne fir Shruti ki taraf muskuraate hue dekha aur kaha...Shruti abb pura confuse ho gayi thi aur usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki Sameer kya kehna chaahta hai.
Shruti:- Tum paheli kyu bujha rahe ho...Mujhe tumhaari koi bhi baat samajh me nahi aa raha...Jo bhi kehna hai khul kar kaho...Aur tum kya dikhaana chaahte ho mujhe?
Iss baar bhi Shruti ki aawaj me hairaani tha.
Sameer:- Pehle andar aaunga tab hi dikha paaunga na...Yaa fir gate se hi bhagaane ka plan hai.
Shruti:- Oh sorry...Mai bhi naa...Baato hi baato me tumhe andar bulaana bhul hi gayi...Aao andar aao aur jo bhi kehna chaahte ho khul kar bataao.
Iske baad Sameer room me aata hai aur haath me liya hua plastic ke andar ka cake Shruti ke haath me pakda deta hai.
Shruti:- Kya hai ye.
Sameer:- Yahi to dikhaana chaahta tha tumhe.
Shruti:- Aakhir isme kya hai jo tum mujhe dikhane ke liye itne dur se bhingte hue aaye ho.
Shruti ne hairaani ke saath kaha aur table me wo cake ka plastic rakh ke utshukta ke saath khola.
Jab plastic hataa kar dekha to Shruti ko apne aankho par vishwaas hi nahi hua...Jo chehra kuch pal pehle udaas tha abb achanak se muskaan aa gaya...Pal bhar me uska dil khus ho gaya...Saamne ek pyaara sa birthday cake tha.
Acche se cake dekhne ke baad jab usne ghum kar Sameer ki taraf dekha to paaya ki Sameer Shruti ka muskuraata chehra dekh muskura raha tha.
Kuch pal ke liye koi kuch na bola...Shruti to bahut khus ho gayi thi aur usse samajh me nahi aa raha tha ki kya bole.[color=rgb(128,]..Sameer bhi Shruti ka muskuraata hua chehra dekhne me vyast tha.[/color]
Kuch pal yunhi chup rehne ke baad Sameer Shruti ke paas aaya aur bola.
Sameer:- I am sorry Shruti...Mujhe pehle se hi pata tha ki aaj tumhara birthday hai...Lekin kya karu movies jyada dekhne ki vajah se dimaag kharaab ho gaya hai...Movies ki tarah hi tumhe surprise dena chaahta tha...Lekin iss chakkar me bahut der ho gaya aur baarish ki vajah se aur late...Jaise taise aa gaya...Mai bhi naa...Jo baat kehne aaya tha wo bataana chhod bakwaas karne lag gaya.
Happy Birthday Shruti....Many many happy returns of the day...May God continue to bless your life and give you the desires of your heart.
Sameer ne iss andaaz me kaha jaise Shruti se jyada wo khus hai Shruti ki birthday me.
Shruti abhi bhi kuch bol nahi paa rahi thi...Wo hairaan aur khus dono hi thi...Uske kaan me baar baar Sameer ka birthday wish gunj raha tha.
Sameer:- Abb aise hi khade rahogi ya cake kaat kar khilaaogi bhi...Kab se wait kar raha hu.
Sameer ne majaak karte hue kaha.
Sameer ne jaise hi ye baat kaha Shruti ne Sameer ko gale laga liya aur kaha.
Shruti:- Tum bhi naa...Majaak karna kabhi nahi chhodoge..[color=rgb(128,].Kitna acche se wish kiya lekin agle hi pal majaak...Waise thanks Sameer....Mujhe itna accha surprise dene ke liye...Ye birthday mere liye khaas birthdays me se ek hai...Pehli baar ghar se baahar celebrate kar rahi hu aur wo bhi apne ek bahut acche dost ke saath.[/color]
Mujhe to laga ki tum bhul gaye hoge mera birthday...Par tumhe to yaad tha...Bahut khushi hui ye jaan kar.
Sameer:- Aise kaise bhul jaata...Mera dost ka birthday hai...Mai to dosto ke liye jaan tak de sakta hu to ye birthday yaad karna kaunsa badi baat hai.
Shruti:- Tum sach me filmy ho...Abhi bhi waise hi dialogue maar rahe ho.
Sameer:- Wo to mai hu.
Iske baad Shruti cake kaat kar Sameer ko khilaati hai aur Sameer bhi ek tukra cake Shruti ko khilaata hai.
Aur kuch der tak dono aise hi baatein karte hai.
Shruti ke liye ye shaam bahut special ban gaya tha...Wo jo chaahti thi wo ho gaya...Rajesh ki gair maujoodgi me Sameer ke saath usne acche se apna birthday celebrate kiya.
Aise hi kuch der baat karne ke baad Shruti kehti hai.
Shruti:- Sameer abb tum jaa kar nahaa kar fresh ho jaao...Raat ko 8 baje yaha niche hall par party rakha hai maine.
Sameer:- Kis cheej ka party.
Sameer Shruti ka baat samajh gaya tha fir bhi Shruti ko thoda pareshaan kar raha tha.
Shruti:- Aur kis cheej ka party...Mera birthday ka...Abb baat karna band karo aur jaao jaldi se nahaane...Maine teachers se permission le liya hai...Aur sabhi ko invite kiya hai...Abb jaao aur party me milte hai 8 baje niche hall me.
Abb Sameer bhi chala jaata hai fresh hone...Baarish me bhingne ke baad wo bahut uncomfortable mehsoos kar raha tha par wo iss baat se Shruti ke birthday par asar padne nahi dena chaahta tha...Abb wo bhi bina koi baat kiye chala jaata hai apne room me fresh hone.
Sameer ke jaane ke baad hi Shruti ke chehre par ek kutil muskaan aata hai...Birthday to celebrate kar liya abb intejaar tha to party ka...Ye party usne birthday celebrate karne se jyada Priya aur uski doston ka beizzati karne ke liye rakha tha jo abb kuch der me suru hone wala tha...Iss baat se Shruti bhi puri tarah anjaan thi ki iss birthday party sabhi ki life ko buri tarah se prabhawit karne wala hai.
Jaisa ki decide kiya tha party raat 8:00 pm me start hua...Sameer ne sabhi students aur teachers ko inform kar diya Shruti ke birthday ke baare me Priya aur uske dosto ko chhod kar...Kul milaa kar 3 teachers aur 30 students the...Ek chhota sa party rakha gaya tha.
Sabhi students niche hall me maujood the Priya, Karan aur Divya ko chhod kar...Sabhi log thoda excited the...Abb kisi ka birthday party tha to excitement to hona hi tha...Sabhi log khus najar aa rahe the Rajesh ko chhod kar.
Rajesh na chaahte hue bhi Sameer ke kehne par Shruti ke birthday attend kar raha tha...Wo dheemi aawaj me baj raha gaana se bhi chiddh raha tha...Students ki aapsi baat bhi usko bardaasht nahi ho raha tha usse...Usko ghutan mehsoos ho raha tha...Wo bas yahi chaahta tha ki jald se jald ye party khatam ho jaaye aur usko thoda chain mile.
Sabhi students aise hi gaane me thoda dance aur masti kar rahe the ki tabhi Shruti apne birthday dress me waha par aa gayi...Acche se makeup bhi kiya tha...Wo bahut khubsurat lag rahi thi...Bahut si students ki najar Shruti par tika hua tha...Lekin Shruti ka najar sirf Sameer par...Sameer bhi kuch samajh nahi paa raha tha Shruti ki iss najar ka matlab kya hai...Wo to bas Shruti ki birthday aur uski chehre ka khushi dekh khus tha..
Thoda sa halla aur gaane ki aawaj se Priya aur Divya apne room me baithe disturb ho gaye the...Unhe samajh me nahi aa raha tha ki kya vajah hai...Wo dono teachers aur managers se complaint karne baahar nikle...Baahar nikal kar sabhi niche hall me pahunche.
Niche pahunchte hi aas paas ka najara aur Shruti ko dekh unhe samajhne me der nahi laga ki aaj Shruti ka birthday hai...Lekin unhe kya matlab Shruti ke birthday se...Chali gayi teachers se complain karne...Teachers ne bhi bas kuch der ki baat hai keh kar taal diya.
Abb wo dono bhi kuch nahi kehti hai aur bas jaldi se iss party ka khatam hone ka intejaar karti hai.
Kuch hi der me cake kaatne ka vakt bhi aa gaya...Cake bada tha...Aur sabhi students kuch pieces khaa sakte the.
Cake katne ke baad Shruti ne sabse pehla tukda Sameer ko khilaaya aur aise hi dhire dhire sabhi ne cake khaa liye...Rajesh ne bhi na chaahte hue bhi cake khaaya...Sabhi ko cake mila Priya, Divya aur Karan ko chhod kar.
Priya ko to iss baat se koi fark nahi pada...Wo to pehle se hi jaanti thi ki aisa hi hone waala hai...Priya ko bhi cake khaane me koi interest nahi tha...Lekin Divya ko ye sab apna beizzati lag raha tha...Wo bas gusse ka ghunt pikar reh gayi...Cake kaat te vakt sabhi ne Shruti ko wish kiya tha lekin Priya aur uski dosto ne nahi.
Yahi se pata chal raha tha ki inn sabki dushmani kitna badh gaya tha...Jo shaayad hi kabhi thik ho paaye...Shruti to andar se bahut khush thi Priya aur uski dosto ko beizzat karke...Wo to abhi aur bhi bahut kuch karne waali thi...Rajesh ko Shruti ki iss harkat par bahut gussa aa raha tha lekin kuch bol nahi raha tha...Sameer shaant tha aur usse iss maamle se koi asar nahi pad raha tha usse.
Abb cake kaatne ke baad vakt aaya gifts dene ka...Yahi wo mauka tha jo Shruti itne dino se intejaar kar rahi thi...Shruti ne pehle se hi sabhi ke liye kuch na kuch gift ke liye kharid rakha tha...Sabhi ke liye alag alag gifts liya tha usne...Sabhi gifts mehenga lag raha tha...Baap ke paisa kis din kaam aata? Paise ki koi chinta tha nahi to sabhi ki najar me apna impression badhane ke liye aur Priya ko beizzat karne ke liye ye kadam jaanbujh kar Shruti ne uthaaya tha.
Sabhi ko gifts dene ke baad Shruti apne chehre par kutil muskaan liye Priya aur Divya ki taraf badhi...Aur unke paas pahunchte hi.
Shruti:- Priya ye lo 5 rs aur Divya tum bhi lo 5rs...Ye tumhaara gift...Abb kya karu khaali haath to bhej nahi sakti...To socha tumhe bhi gift de du jo tum dono ka aukaat se ekdam match kare.
Shruti ne Priya aur Divya ka majaak udaate hue kaha...Sabhi shocked ho gaye Shruti ki baat sun kar...Kisi ko uska ye baat pasand nahi aaya lekin koi kuch nahi bola...Sameer bhi shocked tha Shruti ki iss behavior se.
Priya aur Divya bahut gussa ho gayi Shruti ki iss baat par...Divya jo pehle se hi gussa thi wo kuch bolne hi wali thi ki Priya ne uska haath pakad kar chup rehne ka ishaaa kiya aur khud kehne lagi.
Priya:- Sorry Shruti...Mai gift lene se kabhi mana nahi karti lekin jab gift dene wala tum jaisi giri hui ho usse to mai kabhi nahi leti.
Priya ne bhi palatwaar kiya...Fir se sab shocked ho gaye...Sabhi ko pata tha ki Shruti aur Priya ke bich banti nahi hai lekin kisi ne socha nahi tha ki baat itna badh jaayega.
Shruti ne jaise hi ye suna uska gussa saatwe aasman par pahunch gaya...Usne socha tha ki Priya ko aise gift dene se uska bahut beizzati hoga...Aas paas ke log hasenge Priya par aur uska badla pura ho jaayega...Lekin usne soch nahi tha ki Priya hi uska beizzati sabke saamne iss tarah se kar degi.
Shruti:- Tu mujhe giri hui bolti hai...Teri aukaat hi kya hai...Mere ghar me naukrani banne ke laayak bhi nahi hai aur mujhse jubaan lada rahi hai...Aur sabke saamne mujhse badtameezi kar rahi hai?
Itna keh kar Shruti ne Priya ko ek thapaad marne hi wali thi ki Priya uska haath bich me pakad kar ulta thappad Shruti ko maar deti hai aur kehti hai.
Priya:- Kya socha tha tune? Tu aise hi aakar hame beizzat kar degi aur ham chup ho kar sun lenge...Tujhe pehle hi kaha tha hamse dur raha kar lekin tujhe bahut shaukh hai ladne ka...Agar fir se aayi naa to dekh le naa mai kya karti hu tera...Abb bhaag yaha se.
Pal bhar me maahaul badal gaya tha...Aur itna badal gaya tha ki Priya ne Shruti ko sabke saamne thappad maar diya wo bhi uske hi birthday par...Sab shocked ho kar tamasha dekh rahe the...Kisi ko samajh me nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hai aur kya kare...Shruti ko abb bahut hi beizzati mehsoos ho raha tha...Wo bas apna munh jhukaye khadi thi.
Sameer:- Priya!!
Sameer Priya ko samjhaane ke liye aage badha tha taaki maamla aur na bigde lekin Priya ne uski baat ko bich me hi kaat kar kaha.
Priya:- Chup...Bilkul chup...Apni jubaan se mera naam mat lena aur mujhse baat bhi mat karna.
Priya ek dam se aakramak hokar boli.
Sameer bhi abb kuch nahi bol paaya...Bas Priya ko dekh raha tha...Achanak chehre par gusse ki bhaaw aane lage...Sameer se koi choti si baat par badtameezi kare wo Sameer ko bilkul bhi pasand nahi tha lekin yaha to Priya ne sabhi ke saamne chup kara diya...Jis ladki se wo itna nafrat karta tha aaj ussi ladki ne sabke saamne usse jaleel kiya tha...Iss baat ne Sameer ke ego ko hurt kiya tha...Apna ego hurt hone se aur Shruti ka beizzati se Sameer bhi gusse me laal ho gaya.
Abb Sameer aur Priya ke bich ek beintehaa nafrat paidaa ho gaya tha aur iske upar Shruti ki saazishein...Yahi se suru hua nafrat ka khel aur Sameer ka bhool.
Sameer kuch bolne hi wala tha ki Priya bhi apna dabaa hua gussa ko nikalte hue bolne lagi...Aaj Sameer se bahut kuch kehna chaahti thi Priya...Saara hisaab barabar karna tha usko....Aur aaj usse ye mauka bhi mil gaya...Wo bhi Sameer se utna hi nafrat karne lagi thi jitna ki Sameer...Chehra aur jubaan par gussa laa kar wo kehti hai.
Priya:- Bahut hua Sameer...Bahut bol liya tumne aur bahut sunn liya humne...Tum samajhte kya ho apne aap ko? Tumhe lagta hai ki tum hi acche ho aur baaki ke sab bure...Aur attitude to aise dikhaate ho ki jaise ki tum koi celebrity ho.
Tumhe kya laga hum kuch nahi bolte to ham gunge behre hai ya darpok hai...Pehle hamaari galti thi ye baat ka hame ehsaas tha iss liye kuch nahi kehte the...Abb apni galti maanna hume aata hai aur sudharna bhi aata hai...Tum hi kehte the na ki ham tumhaare raashte me na aaye...Bahut pehle hatt gaye the tumhaare raaste se aur apni hi duniya me vyast the...(Shruti ki taraf dekh kar) Lekin ye baat iss chudail ko manjur nahi tha...Pucch lo isse kyu hame aakar pareshaan karti thi...Har baar warning deti thi...Isse lag raha tha ki ham isse dar jaayenge...Lekin chudail ko ye pata nahi tha ki iske bhaunkne se hame koi fark nahi padta...(Shruti se) Kyu chudail? Abb to tujhe samajh me aa gaya hai na...Hamse dur rehne me hi teri bhalayi hai.
Shruti ke aise baar baar chudail bolne se Sameer ka gussa aur badh raha tha to koi students ko hassi aa raha tha jo Sameer ke gusse ko aur bhadka raha tha...Jab Sameer ko bardasht nahi hua tab daant chabhaate hue usne kaha.
Sameer:- Shruti ko baar baar chudail kehna band karo...Please kya ye maamla ham akele me suljhaa sakte hai? Aise sabke samne tamasha banane se tumhe kya milega? Aapas me baat karke saari problems khatm karte hai.
Sameer ne to Priya ko samjhate hue kaha lekin uska aawaj se pata chal raha tha ki wo kitne gusse me hai...Bas kisi tarah apne gussa par kabu kiya tha.
Priya:- Kya baat hai Mr. Sameer Sharma? Jab baat khud ki izzat par aaya to aise munh chippa kar bhaag rahe hai...Hamaare baare me to kabhi nahi socha...Sabke saamne jab hamaara majaak udaate thhe ya hamaari galti ko sabke saamne dikhaate thhe tab to bahut maja aata tha aapko lekin aaj kya hua?
Aur rahi baat iss chudail ko chudail na kehne ki to ye possible nahi hai Mr...Mere paas abhi time nahi hai ki Shruti ke kartut ke baare me kuch kahu...Tumhara hi dost hai aaram se pucch lena.
Bas itna kahunga ki tum aur tumhaari iss chudail dost hamaare raaste me kabhi nahi aana...Mai ek baat keh deti hu ki aaj se mujhe tumse koi lena dena nahi hai aur tumhe bhi humse kuch lena dena nahi hona chahiye...Tum apni raaste aur ham apne raaste...Abhi to iss chudail ka gaal laal kiya hai agar agli baar fir se dimaag kharab karegi to kuch keh nahi sakti...Aur tab aa kar ye mat pucchna ki maine aisa kyu kiya.
Priya aaj itne dino ki nafrat aur gussa nikaal rahi thi...Uski har lafz uska Sameer se beinteha nafrat ka gawahi de raha tha.
Sameer bhi sab kuch gusse ki ghunt pee kar sun raha tha...Sabhi ke saamne aise majaak ban jaane se wo bahut hi uncomfortable feel kar raha tha...Gussa to bahut aa raha tha lekin kuch bol nahi paa raha tha...Bolta bhi kya jab galti Shruti ka hi tha...Usse ye to pata nahi tha ki Shruti ka galti kya hai lekin Shruti ka jhuka hua chehra dekh itna to samajh gaya ki Shruti ne jarur kuch kiya hai aur issi vajah se Priya itna ucchal rahi hai...Wo abb bas itna chaahta tha ki jaldi se ye tamasha khatam ho jaaye.
Priya:- Sameer jaante ho mai sochti thi ki kahi tumse nafrat karke maine koi galti to nahi kiya...Lagta tha ki tum jaise bhi ho utna bure bhi nahi ho...Aur hamaari ye nafrat misunderstanding se suru hua...Lekin mai galat nahi thi...Accha kiya jo mai tumse nafrat karti hu...Tum to dosti me itna andhe ho gaye ho ki tumhe sahi aur galat ka andaaza hi nahi hai...Aur to aur apne dost ki galti chupaane ke liye mujhse hi bahas kar rahe ho...Tum se ek din parking me bhi baat karna chaaha tha iss chudail ke baare me...Lekin tumne mana kar diya aur iske hi tarafdaari karke mujhe bhej diya...Ussi baat se iss chudail ka itna himmat badh gaya aur aaj iski abhi jo haalat hai iski vajah ye khud hai.
Ek salah deti hu ki dosti karna hai to kisi aur se karna...Iss chiludail se nahi...Kabhi ye tumhaara saath nahi dene wali...Itna to jarur keh sakti hu ki pith piche chura bhaunkne se bhi nahi chukti hai ye chudail.
Pata nahi kis cheej ka ghamand hai isse...Aur kya saabit karne aayi thi ye mere paas...Mujhe mera aukaat samjhaa rahi thi...Maanti hu tum log jitna rich family se belong nahi karti...Gaaw me ek middle class family me pali badi hu...Sab kuch thik thak hai aur ham apne life se satisfied hai...Paiso se har kuch nahi hota khusi to santust rehne se milti hai...Mere sapne tum jaise laalchi log jitna bada nahi hai lekin mai apni life me khus hu.
Aur ye chudail apne aap ko samajhti kya hai? Bhikhaari jaise bartaaw kar rahi thi mere saath...Pata nahi kyu mere picche padi hai...Kabhi chhain nahi milta isse...Bas dusre ke picche pade raho aur jeena mushkil kar do...Iske alawa isse aata hi aur kya hai.
Tum logo se aur baat karke mai apna mood aur kharab karna nahi chaahti...Pata nahi meri baat tum logo ki samajh me aaya bhi ya nahi...Lekin mai itna keh deti hu ki aaj se humaara raasta alag aur mujhe tum aur iss chudail ki dakhal andaazi nahi chaahiye...Ham log shaanti se rehna chaahte hai...Live and Let Live.
Itna keh kar Priya Divya ka haath pakad kar waapas apne room me le jaati hai...Usne apna kaam kar diya tha aur aaj wo andar se bahut halka mehsoos kar rahi thi...Bahut din se Sameer se sidhe baat karne ka jo bojh tha wo aaj khatam ho gaya...Sameer ko aaj usne chup kara diya tha aur saath hi uska attitude ko bhi.
Abb hall me sirf teachers, students, Sameer , Rajesh aur Shruti hi bache the...Sabhi students ko ek mudda mil gaya tha jis par discuss karke wo sab apna time pass kare...Kisi ke liye ye show shocking tha to kisi ke liye free ka comedy...Koi iss maamle par baat karke has rahe the to koi apne apne room me jaane lage.
Teachers ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kaise react kare...Itna to unhe bhi pata chal gaya tha ki galti Shruti ka hai...Baat bahas se jyada nahi badha to unhone bhi koi dakhal nahi diya...Unhe hi apne pareshaani suljhane diya.
Dhire dhire sabhi chale gaya apne room me aur baaki reh gaye Sameer, Rajesh aur Shruti.
Rajesh ne bhi iss vakt kuch naa bolna hi thik samjha aur wo bhi apne room me chala gaya.
Shruti apne sir jhukaaye aaj ka saara ghatna ke baare me soch rahi thi...Kya socha tha usne aur kya ho gaya...Kaha wo apne birthday ka wait kar rahi thi Priya ko beizzat karne ka lekin ulta Priya ne hi usko sabke saamne beizzat kar diya...Aur Sameer ko bhi bahut kuch keh diya...Abhi to wo soch rahi thi ki Sameer ko kya jawaab de...Sab kuch usne Sameer se chuppa kar kiya tha...Lekin iss bich usse Priya par bahut gussa aa raha tha...Abb usne thaan liya ki ek din acche se wo Priya se badla legi aur aaj hui ghatna ko kabhi nahi bhulegi jab tak wo apna badla pura na kar le.
Uske paas me hi khada Sameer ka bhi waisa hi haal tha...Nafrat aur khud ka beizzati se uski aankhe gusse se laal ho gaya tha...Sabhi ke saamne apna aur Shruti ka beizzati ko wo seh nahi paa raha tha...Aaj jo bhi hua uss ghatna ne Sameer ke dil me Priya ke liye jo nafrat tha usse aur badha diya.
Kuch der gusse se jameen me dekhne ke baad Sameer ne apna chehra upar uthaya aur gusse se Shruti ki taraf dekh kar kaha.
Sameer ne apna gussa ko dabaana chaaha lekin dabaa nahi paaya...Sameer ka gussa Shruti ke liye koi shock se kam nahi tha...Pehli baar Sameer Shruti par gussa hua tha...Shruti kuch bol nahi paayi...Bas apni najar niche jhuka kar hi khadi rahi.
Sameer:- Kyu kiya tumne Shruti ye sab aur ye sab karne ki jarurat bhi kya tha? Aaj galti humaara tha aur mujhe bhi chup rehna pada...Aaj pehli baar koi mujhe aisa beizzat karta raha aur mai chaah kar bhi kuch nahi kar paaya...Kya jarurat tha Shruti tumhe bekaar me unn logo ki maamle me dakhal dene ki...Kaash tumne ye sab nahi kiya hota aur naahi unn logo ki himmat itna badhta.
Iss baar Sameer ki aawaj me gussa ke saath ek dard bhi tha...Pehli baar usne beizzati mehsoos kiya tha aur wo bhi sabhi ke saamne.
Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Shruti se bhi abb raha nahi gaya...Usne apna sir uthaa kar Sameer ke niraash chehre ko dekha...Shruti ke aankho me aansu ki jagah gussa tha...Lekin Sameer ki haalat dekh jaldi se usne apne chehre ke bhaaw badal kar dukhi hone ka naatak karte hue kaha.
Shruti:- Sorry Sameer.
Isse jyada Shruti ko samajh me nahi aa raha tha ki kya bole.
Sameer bhi gusse me sir ghuma leta hai...Wo to Shruti par bhi gussa tha lekin Shruti ko kuch keh nahi paa raha tha.
Shrutilease Sameer aise naaraj mat hoo...Sorry mai apni galti ke liye maafi maangti hu.
Sameer:- Abb sorry se kya faidaa...Unn logo ne apna kaam kar diya...Hame sab ki najar me giraa diya...Mujhe to samajh me nahi aa raha ki maine aisa kya kar diya jo usne mujhe itna sab kuch suna diya...Abb sorry bolne se beetaa hua vakt waapas to nahi aayega...Aaj mai unse haar gaya jinse mai kabhi haarna nahi chaahta tha...Aaj unn logo ne hara diya mujhe sabke saamne.
Isse aage Sameer nahi bol paaya...Apni beizzati par wo aur bol nahi paaya...Shruti ko bhi abb pata chala ki Sameer kitna jyaada naaraj hai.
Shruti:- Mujhe nahi pata tha ki baat itna bigad sakta hai...Agar mujhe pata hota ki ye sab hota to mai kabhi aisa nahi karti...Maine to socha ki ye bahut accha mauka hai unhe aur beizzat karne ka lekin.
Sameer:- Mai iss baare me kuch baat nahi karna chaahta...Mera mood abhi bahut kharaab hai aur aise me mera saara gussa tum par nikal sakta hai...Mai abhi jaa raha hu apne room me...Lekin jaane se pehle itna jarur kahunga ki aage se unki maamle me kabhi dakhal mat dena...Mai abb unki galti ka intejaar kar raha hu...Ek baar galti kar de Priya tab usko jindagi bhar ka dard dunga...Bas ek mauka mil jaaye...Nahi chhodunga usse...Aur apna badla lekar hi rahunga.
Mai tumse ye to nahi pucchumga ki tumne kya kiya tha unke saath jis vajah se wo sab itna kuch bol rahi thi...Lekin ye jarur kahunga ki aage se aisa kuch mat karna please.
Gusse me ye sab kehne ke baad Sameer ek pal waha nahi ruka aur sidhe apne room me chala gaya.
Aaj jo bhi hua usse Priya ke liye Sameer ka nafrat aur badh gaya tha...Kuch din pehle jo gussa shaant tha aaj wo fir se bhadak gaya tha.
Shruti ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kare...Usko apni galti ka ehsaas bilkul bhi nahi tha...Usse bas Priya par gussa aa raha tha aur badla lene ki chaahat bhi...Aaj ki baat se Shruti ko itna to jarur pata chal gaya ki Sameer ke saamne kuch nahi karna hai...Jo bhi karna hai Sameer ke peeth picche...Usne aaj Sameer ki najaro me Priya ke liye jo nafrat tha usse mehsoos kar liya tha...Abb usko Sameer ko bina bataaye Sameer ki nafrat ka istemaal karna tha aurek plan banana tha jisse saanp bhi mar jaaye aur laathi bhi na toote.
In roof
Chath par Priya akeli baithi thi aur raat ke maahaul ka majaa le rahi thi...Bahut dino ke baad ek chhain mila tha usse...Aaj se pehle aur Sameer se milne ke baad har ek pal ko ghut kar jeeya tha usne...Sameer ka aise sabke saamne beizzat kar dene se bahut pareshaan ho gayi thi...Aaj mauka milaa usse aur usne apna saara hisaab barabar kar liya...Wo chhath ke ek kone me baith kar khusi ke saath niche ki taraf dekh rahi thi ki picche se usko kisi ke aane ki aahat hua.
Picche jo bhi aa raha tha wo aaj har haal me apne kaam ko anjaam dene waala tha...Yahi sahi mauka tha uske liye...Bahut kar liya tha intejaar aur aaj mila wo mauka usko.
Jaise hi Priya ko kisi ki aahat mehsoos hua wo turant picche mud gayi...Andhera me wo pehchaan nahi paa rahi thi ki picche wala shaks kaun hai aur kyu aaya hai...Bas andhera me wo itna hi dekh paayi ki wo shakhs ladka hai.
Priya ke chehre par dar aur hairaani ke mile jule bhaaw tha...Wo soch rahi thi ki itni raat ko chhat par kaun aaya hai aur kis liye...Usne himmat karke puccha.
Priya:- Kaun ho tum?
Ghabraahat me Priya ke munh se bas itna hi nikla...Isse aage kya bole Priya ko kuch samajh me nahi aa raha tha.
Priya ke bolne ke kuch der baad hi wo ladka bola.
Ladka:- Mai hu Karan.
Karan ne jab ye bataya tab Priya ne raahat ke saans liya.
Priya bas Karan ko dekh rahi thi...Wo kuch nahi bol rahi thi...Priya ko chup dekh Karan ne kaha.
Karan:- Tum itna ghabrayi hui kyu ho...Sab kuch thik hai na???
Priya :- Haan.
Priya ne bas itna hi reply diya.
Karan:- To fir itna dari hui kyu ho?
Priya:- Ghabra gayi thi tumhe dekh kar.
Priya ne ek lambi saans le kar kaha...Karan Priya ki baat par hairaan ho gaya.
Karan:- Mujhe dekh kar ghabra gayi...Lekin kyu?
Karan ne ye kehne ke baad sawaliya najro se Priya ko dekha.
Priya:- Andhera me acche se nahi dikh raha tha ki kaun hai...Achanak se saamne aane par tumhe pehchaan nahi paayi...Iss liye kisi aur ko samajh kar ghabra gayi thi.
Karan:- Lekin ghabrane ki jarurat kya hai agar meri jagah koi aur hota to.
Priya:- Itni raat ko koi achanak se mere picche koi ladka aye to Ghabraahat to hogi hi...Pata nahi kis intention se aaya ho...Mujhe laga kahi Sameer to nahi hai jo mujhe nukshaan pahuchane aaya ho apna beizzati bardaast nahi kar paane ki vajah se.
Karan:- Majaa aa gaya aaj to...Bahut acche se Sameer ki band baja diya tumne...Bahut time se wait kar raha tha iss pal ke liye...Jo mai nahi kar paaya wo tumne karke dikhaya...I am so happy today...Abb dekhna wo hume apna munh bhi nahi dikhayega panga lena to dur ki baat hai.
Karan ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo kitna khus hai...Bahut dino ke baad itna khus ho raha tha warna Sameer ne to jeena mushkil kar diya tha uska.
Priya:- Please yaar aaj to uski baat kar ke mood kharaab mat karo...Bahut dino ke baad khus hu mai...Aur uske baare me baat karna nahi chaahti...Lets live this moment.
Iske baad Priya aur Karan ke bich ek khaamoshi chaa jaati hai...Bich bich me dono ek dusre ki taraf dekh lete the aur mushkura dete the...Karan ki najar me to ek confusion tha...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya kare...Lekin Priya ki najar me Karan ke liye pyaar.
Priya:- Tum yaha kyu aaye ho iss vakt?
Khaamoshi ko chirte hue Priya ne Karan se pucha.
Karan:- Mmai to aise hi ayaa ttha.
Karan ne haklate hue kaha...Usse ummeed nahi tha ki achanak se Priya ye sawaal pucch dega.
Priya:- Sach keh rahe ho?
Priya ne muskuraate hue Karan ki aankh me aankh daal kar puccha...Usse pata tha ki Karan jhuth bol raha hai aur wo acche se jaanti thi ki Karan kyu aaya hai.
Karan ne ha me sir hilaa diya.
Priya:- Tumhe kya lagta hai tum itni aasani se mujh se jhuth bol doge aur mujhe pata bhi nahi chalega...Sach sach bataao...Aur abb koi jhuth mat bolna.
Priya ne muskuraate hue warning diya.
Karan ko samajh me nahi aa raha tha ki kya sach me usko sach bolna chaahiye...Agar usne sach bol diya aur Priya naraaj ho gayi to.
Karan:- Wo mai...wo mai...
Isse aage Karan kuch bol nahi paa raha tha...Aaj Priya ko propose karne me usko dar lag raha tha...Bhale hi usne ek chaal chala tha Sameer ke ghadi churaa kar lekin usse ye pata nahi chala tha ki Priya uske baare me kya sochti hai...Kahi mana naa kar de...Iss dar se Karan kuch bol nahi paa raha tha.
Priya:- Kya wo mai wo mai kar rahe ho? Jo bhi kehna hai khul kar kaho.
Iss baar Priya ne serious hone ka acting kiya...Isse Karan aur dar gaya...Ek najar Priya ki aankho me dekha Karan ne...Lekin agle pal hi najar hata liya dar ke kaaran.
Karan:- Kkuch nnahi.
Priya ko abb apne hi harkat par gussa aa raha tha...Accha khaasa Karan usse propose karne jaa raha tha lekin uski acting se Karan dar gaya aur himmat nahi kar paaya.
Priya:- Arre bataao na yaar...Kya kehna chaahte ho aur aise dare hue kyu lag rahe ho?
Iss baar Priya ne thoda dheemi aawaj me kaha...Karan ne iss baar himmat karke bol hi diya.
Karan:- Actually Priya I Llove yyouu.
Karan ne bol to diya...Lekin uska dar abhi bhi waisa hi tha...Priya kya jawaab degi ye soch kar wo aur ghabra raha tha...Life me first time wo itna ghabra raha tha...Priya ko aise chup dekh bahut himmat karke Karan ne apna sar uthaya aur Priya ke chehre ke bhaaw padhne laga...Priya ki chehre ka gussa dekh wo bahut dar gaya aur usse samajh me aa gaya ki Priya usse pyaar nahi karti.
Priya:- Himmat kaise hui tumhaari mujhe propose karne ki?
Priya ka bas itna hi kehna tha ki Karan ka chehra ekdam se latak gaya aur wo niraash hokar picche mood kar waapas jaane laga.
Karan wapas niche jaane hi wala tha ki Priya daud kar aage badhi aur Karan ke kandhe ko pakad kar waapas apne taraf pakad kar ghuma diya aur Karan ko ghurne lagi.
Karan bhi kuch pal chup raha...Kuch der baad himmat karke usne Priya ke chehre ko dekha aur kaha.
Karan:- Sorry...Agar tumhe buraa laga ho to.
Karan ki aawaj se pata chal raha tha ki wo kitna hopeless ho gaya hai.
Karan ki ye baat Priya ko accha nahi laga...Abb usse mehsoos hua ki Karan ko aur tadpaana thik nahi hoga.
Usne abb aur der nahi kiya...Jaldi se Karan ko gale laga liya aur kaha.
Priya:- I love you too Karan.
Priya ne thoda khushi aur thoda sharmaate hue kaha...Uski aawaj se lag raha tha ki aaj maano usse duniya bhar ki khushi mil gaya hai.
Priya bas Karan ke gale se lipti hi rahi...Karan ko ek pal ke liye to kuch samajh me nahi aaya...Lekin jab dusre pal usse samajh me aaya to uska nirash chehra par fir se muskaan laut aaya...Ek pal me wo bhi bahut khus ho gaya aur khushi ke mare usne bhi Priya ko apne baaho me bhar liya.
Dono aaj bahut khus the...Kuch dino se ye dono bas issi pal ka intejaar kar rahe the...Pahla pyaar me proposal accept hone ka majaa hi kuch aur hai...Kuch pal dono yunhi ek dusre ke gale me lipte rahe aur iss pal ko jeete rahe...Dono bas ek dusre ka saath mehsoos kar rahe the...Kareeb 15 minutes baad wo dono alag hue.
Alag hone ke baad Karan muskuraate hue Priya ke chehra dekhne laga jo sharm ke saath apni najar Karan se chura rahi thi.
Karan ko Priya ka ye adaah bahut pasand aaya...Iss khaamoshi ko chirte hue wo pyaar se bola.
Karan:- Kya baat hai? Kuch der pehle to aise ghur rahi thi jaise khaa jaaogi...Lekin abb...Abb to ek najar bhi nahi dekh rahi ho.
Karan ki baat par Priya ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe...Wo sharmaate hue bas najar churaa rahi thi.
Karan:- Please abb to kuch bolo...Kab se maraa jaa raha hu tumhari pyari baatein sunne ke liye...Lekin tum to kuch bol hi nahi rahi ho.
Lekin Priya fir bhi kuch nahi bolti.
Karan:- Lagta hai maun vrat rakh liya hai abb.
Karan ne dhire se badbadaate hue kaha lekin Priya ne sunn liya...Abb Priya ne ek najar upar uthaa kar Karan ko ghuraa aur agle hi pal muskuraate hue najar jhuka liya.
Karan:- Chhodo ye sab baatein...Ye bataao ki tum mujhse pyaar karti thi to siddhe siddhe jawab kyu nahi diya...Aise ghur rahi thi jaise khaa hi jaaogi...Pata hai kitna dar gaya tha mai.
Karan ne shikayat karte hue kaha....
Priya Karan ki iss baat par thoda muskurati hai aur kehti hai.
Priya:- Badla le rahi thi.
Karan:- Badla...Kaisa badla?
Karan ne hairaani ke saath puccha.
Priya:- Badla nahi leti to kya karti...Pata hai kitna tadpaya hai tumne mujhe...Kab se wait kar rahi thi tum mujhe propose karoge...Lekin tum to bahut darpok ho...Koi itna late karta hai kya...Bas issi vajah se naraj ho gayi thi aur socha tumhe tadpane ka.
Priya ne ulta Karan se shikayat kiya...Karan uski baat sunn muskuraate hue bola.
Karan:- Pyaar ka maamla hai pagli...Jitna aashaan sochte hai propose karna utna aashaan hota nahi...Kahi saamne waale ne proposal reject kar diya to kya hoga bas ye dar satata rehta hai...Pyaar me ek haa jindagi bhar ki khushiyan deta hai to ek naa jindagi bhar ke gum.
Priya:- Tumhe to mai bahut daring samajhti thi jab tumne mujhe khayi me girne se bachaaya...Lekin tum to darpok nikle.
Priya ne muskuraate hue kaha.
Karan:- Kisi bhi aadmi ke paas chahe kitna bhi taakat aur himmat kyu na ho pyaar ke maamle me wo bhigi billi ban jaata hai...Pyaar insaan ko kya nahi karwaata...Pyaar paane ke chakkar me insaan khud ko puri tarah se badal deta hai.
Pyar ke liye taakat aur dare kaam nahi aata...Bas dil aur character kaam aata hai aur saamne waala aapke aur aapke character ke baare me kya sochta hai ye jaruri hai...Aur mai yahi nahi jaan paa raha tha ki tum mere baare me kya sochti ho...Aur dar lag raha tha ki kahi tum mera proposal reject hi na kar do.
Priya:- Are bas bas...Thoda sa majaak kya kar diya tum to ekdam se serious hokar safaayi dene lage.
Iske baad kuch pal ke liye fir se khaamoshi chaa jaata hai...Dono ek dusre ki aankho me dekh ek dusre ke pyaar ko mehsoos kar rahe the...Bahut sukoon mil raha tha dono ko...Shaayad jindagi ki sabse jyada khushi ka palo me se ek tha abhi ka vakt dono ke liye.
Kuch der ki khaamoshi ko todte hue Priya ne kaha.
Priya:- Karan ek baat bataao.
Karan:- Puccho.
Priya:- Tum mujhse kab se pyaar karte ho.
Karan:- Jab se tumhe pehli baar dekha...Ek alag sa feeling mere dil me aaya jab tumhe dekha tab...Shaayad love at first sight keh sakte hai...Uss time to mujhe ye bas attraction hi laga...Lekin jab dhire dhire tumhaare saath vakt bitaane laga tab jaa kar ehsaas hua ki mai tumse pyar karne laga hu...Bas kehne ki himmat nahi kar paa raha tha...Aaj jaise taise himmat karke bol diya.
Aur tum mujhse kab se pyar karti ho?
Karan ne jo mehsoos kiya tha wo keh diya lekin sach to ye tha ki aaj bhi Priya ki taraf bas wo attracted hi tha.
Priya:- Agar sach kahu to mujhe tumse love at first sight nahi hua tha...Tumhe sirf apna dost maanti thi.
Lekin dhire dhire tumhaara saath accha lagne laga...Jab tum Sameer aur Shruti ke saath ladkar mera saath dete the to mujhe bahut accha lagta tha....Tab jaakar shaayad mujhe bhi tumse pyaar hone laga tha...Bas tum aur Divya hi mere wo dost ho jinhone mujhe mushibat me saath diya tha.
Jab tumne uss din apna jaan me khel kar mujhe bachaya to laga shaayad hi koi mujhe itna saath dega jitna tum dete ho...Har pal mere khushi ke baare me sochte ho aur mere liye kuch bhi karte ho....Tab jaa kar mujhe bhi ehsaas hua ki mai bhi tumse pyaar karti hu.
Mujhe kabhi kabhi lagta tha ki tum mujhse pyaar karte ho...Lekin mai sure nahi thi...Jab mujhe ehsaas hua ki mai tumse pyar karti hu tab sochti thi ki kaash ye sach ho ki tum bhi mujhse pyaar karte ho...Aur aaj mera ye wish bhi sach hua.
I love you Karan...I love you so much.
Itna keh kar Priya Karan ke gale lag gayi...Issi tarah se dono kuch der tak pyar bhari baatein karte rahe...Aur jab raat ke 2:00am baj gaye aur unhe neend laga tab dono niche chale gaye sone ke liye.
Issi tarah suruwat hua Karan aur Priya ka pyar ya fir Karan aur Priya ka attraction ka.
1 Year Later
Aise hi dhire dhire vakt bitne laga...Inn baato ko beete 1 saal se jyada ho gaya...Sameer, Priya aur unki dost abhi just 4th semester me pahunche the...3rd Semester ka result aana baaki tha...1st aur 2nd Semester Sameer ne top kiya tha...Rajesh, Divya aur Priya bhi acche students the aur unka result bhi bahut accha aaya lekin toppers ki list me unka naam nahi tha...Karan aur Shruti jaise taise paas ho gaye...Padhne ki jagah dusro ke khilaaf saajish rachne lagenge to yahi hoga na.
Sameer ko dekh kar koi keh nahi sakta tha ki ye top karega...Lekin Rajesh ko chhod koi ye baat nahi jaanta tha ki Sameer jo kaam karta hai dil laga kar karta hai pure dedication ke saath...Intelligent to wo pehle se hi tha aur padhne me koi kanjoosi bhi nahi karta tha...Ek alag routine tha uske padhne ka....Sameer har ek cheej ko time par karta tha aur apne routine ko hamesha follow karta tha.
Ye to hua inke studies ki baat...Abb inke aapas me relations ke baare me bhi bata deta hu.
Iss 1 saal me Priya aur Karan ka pyaar pehle se thoda aur majboot ho gaya tha...Aur inke baare me college me sabhi ko pata chal gaya tha...Lekin kisi ne jyada interest nahi liya iss pyaar par Shruti ko chhod...Priya aur Divya ki dosti pehle jaisa hi tha aur Karan aur Divya ke bich dosti bhi bilkul waise hi tha...Koi sudhar nahi aaya...Bas kaam ke vakt hi baat karte the.
Dusri taraf Sameer aur Rajesh ka dosti pehle ki tarah hi accha tha lekin kabhi kabhi Sameer ko Rajesh ka Divya ke saath badhta karibiyan dekh gussa aata tha...Lekin kuch kehta nahi tha...Sameer aur Shruti ki dosti pehle se bahut accha ho gaya tha...Sameer ke liye ye sirf dosti tha lekin Shruti ke liye pyar...Wo Sameer ko apne dil ki haal bataana to chaahti thi lekin abhi tak nahi bataya...Shruti ka Sameer chhod kisi ke saath relation accha nahi hua tha...Sabhi ko apna dushman maanti thi.
Sameer aur Priya ki nafrat me bhi koi sudhar nahi aaya tha...Bhale hi wo dono ek dusre se baat karna band kar chuke the lekin ye nafrat abhi tak khatm nahi hua tha...Sameer Priya ki bas ek galti ka intejaar kar raha tha apna hisaab barabar karne ka...Jo shaayad Shruti ki meharbani se bahut jaldi sambhav hone waala tha.
Sameer ka aaj mood thoda off tha iss liye wo canteen me nahi gaya...Shruti aur Rajesh ne bahut koshish kiya canteen tak le jaane ka lekin Sameer nahi maana...Sameer ke jidd ke saamne Rajesh aur Shruti ko jhukna hi pada.
Dono chale gaye canteen me aur akele akele baith kar lunch karne lage...Rajesh aaj kuch jaldi hi apna lunch complete karke class me chala gaya.
Shruti kuch pareshaan najar aa rahi thi...Chehra dekh aisa lag raha tha ki wo kuch soch rahi hai...Iss soch ke chakkar me wo thik se khaa bhi nahi paa rahi thi...Tabhi uske paas Neha aa kar baith jaati hai.
Neha:- Kiski yaad sata rahi hai madam?
Neha ki iss majaak se Shruti ka dhyan toota...Wo Neha ko bas ghurti rahi.
Neha:- Sorry Madam...Aapko aapki aashiq ke baare me sochne aur dhyan hatane ke liye maafi chaahti hu...Par kya karu...Ye college hai madam...Yaha aap aise react karengi to sabko pata chal jaayega ki aapko pyaar ho gaya hai...Please apne feelings ko thoda control me rakhiye nahi to pura college ko aapki love story ke baare me pata chal jaayega.
Neha ne muskuraate hue fir se kaha.
Shruti:- Ye kya bakwas kar rahi hai tu...Mujhe kyu kisi se pyar hoga aur kaun hai mera aashiq?
Shruti ne dikhana chaha ki usko Neha ki baat se kitna gussa aaya hai...Koi sun na le iss vajah se dhire aur gusse ke saath usne kaha.
Neha:- Calm down dear...Mere saamne tera ye naatak nahi chalega...Jitna bhi ye jhutha gussa kyu na dikha de tu mujh par koi asar nahi padne wala...Waise bhi sacchai chupane se chhupta nahi...Dekha hai maine aaj kal teri behavior ko...Teri har harkat se pata chalta hai ki tu Sameer se pyar karti hai...Bas acche se jataa nahi paati hai...Are yaar pyaar karti hai to Sameer ko bhi iss baat ka ehsas dilaa ki tu usse pyaar karti hai...Kab tak aise hi chup baithegi.
Shruti Neha ki iss baat par kuch nahi kehti hai...Wo fir se Neha ko ghurne lagti hai...Lekin iss baar naa to wo gussa thi aur naa hi khus...Bas Neha ko dekhe jaa rahi thi aur soch rahi thi ki kya jawaab de Neha ke iss baat ko.
Neha:- Abb ye mat kehna ki mai fir se jhuth bol rahi hu aur tujhe Sameer se pyar nahi hai.
Iss baar Neha ne majaak nahi kiya.
Shruti:- Nahi sach keh rahi hai tu...Mai Sameer se pyar karti hu...Bahut pyar karti hu...Kitni baar ehsaas dilaaya maine Sameer ko...Pura paagal hai wo...Kabhi samajhta hi nahi hai mujhe aur mere pyaar ko...Mere ishaare ko majaak me le leta hai...Sidha propose nahi kar paa rahi hu mai lekin usko bhi to samajhna chaahiye naa.
Jab bhi pyaar ke baare me baat karti hu to pata nahi kyu topic hi badal deta hai...Kabhi pyaar ko seriously leta hi nahi...Pata nahi mai kya karu kuch samajh me nahi aata...Wo Rajesh bhi hamesha Sameer ki pucch ki tarah piche hi pada rehta hai...Kabhi mauka mil nahi paata Sameer ko khul kar apni baat kehne ka...Jab bhi mauka milta hai Sameer baat ko majaak bana kar taal deta hai.
Sochti hu ki wo bahut jald mera baat samajh jayega aur mujhe hi propose karega lekin 1 saal ho gaya naa hi wo mujhe samajh paaya aur naa hi mere pyaar ko.
Itna keh kar Shruti chup ho gayi...Uski aawaj me ek bebasi tha...Bahut koshish kiya tha usne Sameer ko apne pyaar ka ehsaas dilaane ko...Lekin abhi tak kaamyab nahi ho paayi thi...Aur kaamyaab ho paayegi iss baat par khud par vishwaas bhi nahi tha usse.
Kuch pal chup baith kar aur kuch sochne ke baad Neha ne thoda gambhir ho kar kaha.
Neha:- Abb to ek hi raasta bacha hai.
Shruti:- Kaun sa raasta?
Shruti ki aawaj me koi utshuktaa nahi tha...Usse pehle hi pata tha ki Neha ki sabhi ideas bakwas hota hai...Fir bhi usne socha ki ek baar sunne me kya jaata hai.
Neha:- Sidha Sameer ko propose hi kar daal...Aaj aar ya paar kar de baat ko...Kab tak aise hi ghut ti rahegi? Mai jaanti hu Sameer ko bhi ehsas hai tere pyaar ko aur shaayad koi vajah hoga jis vajah se wo tujhe accept nahi kar paa raha hai...Aaj baat karke jaan le kya baat hai.
Agar usse sach me tujhse pyaar nahi hota to kisi bahaane se tujhse alag ho gaya hota lekin usne aisa nahi kiya...Meri baat maan aur sidha propose kar daal Sameer ko...Aage kya hoga usse baad me dekhenge.
Itna keh kar Neha chup ho gayi aur Shruti ki taraf dekhne lagi...Shruti ko bhi Neha ki baat thik laga...Kuch der sochne ke baad usne kaha.
Shruti:- Thik hai...Bahut jald propose kar dungi.
Neha:- Abb aur der mat kar...Aaj hi propose kar de...Warna aisa na ho ki koi aur hi Sameer ko pataa le...Kahi mai hi usse na pataa lu.
Neha ne aakhiri ki do line hanste hue kaha...Abb wo maaaul ko fir se halka banana chaahti thi...Shruti ko bhi pata tha ki Neha majaak kar rahi hai.
Shruti:- Tu karegi Sameer ko propose? Hahaha
....Bahut comedy karti hai yaar tu? Tere pyar ko accept karna to dur ki baat hai wo teri taraf dekhega bhi nahi...Hahaha...Agar Sameer ne mujhe tere saath dekh liya to kahi wo mujhe hi na reject kar de...Bahut manhus hai tu...Mujhse dur hi raha kar.
Agar kisi aur ne Sameer ko pataane ki koshish kiya to uska mai munh noch lungi.
Issi tarah majaak me lunch break khatam ho jaata hai...Shruti aur Neha apne apne class me jaati hai.
Class ki taraf jaate jaate Shruti ne tay kar liya ki aaj har haal me wo Sameer ko propose karegi...Class me bhi Shruti ka dhyaan padhai me naa ho kar Sameer par hi rehta hai...Wo aaj kaise Sameer ko propose karegi bas issi baare me soch rahi thi.
In parking
Khair jald hi ye vakt bhi aa gaya...College khatam hone ke baad Sameer aur Rajesh parking se apne ghar ki taraf jaane hi waale the ki picche se daud kar Shruti aati hai aur chilla kar kehti hai.
Shruti:- Sameer ruko...Mujhe tumse kuch baat karni hai.
Shruti ne itna jor se chillaya tha ki Sameer ka naa sunne ka sawaal hi nahi tha.
Sameer:- Ha Shruti kaho...Kya baat hai?
Shruti ke paas aane ke baad Sameer ne kaha.
Shruti:- Yaha nahi...Private baat hai aur bahut jaruri hai.
Shruti ki baat sunne ke baad Sameer ne socha kia aakhir kya private baat ho sakta hai...Usko kuch kuch andaaza to ho gaya tha lekin wo bas yahi dua kar raha tha ki jo wo soch raha hai wo naa ho...Wo Rajesh ko akele jaane ka keh deta hai aur Shruti ke picche picche chala jaata hai.
Shruti Sameer ko ek akele jagah me le jaati hai aur bina dare, bina sharmaye himmat karke bol deti hai.
Shruti:- Sameer I Love you.
Sameer jo nahi chahta tha aakhir wohi hua...Shruti ki baat sunne ke baad Sameer 2 saal picche hue ek ghatna ko yaad karne laga...Sameer uss ghatna ke baad pyaar se bhaagne ka bahut koshish kar raha thaekin aaj Shruti ne fir se usse do raaho par laa khada kiya.
Uss ghatna me jo bhi hua tha uske baad Sameer ke paas pyar karne ki taakat nahi tha...Pyaar se vishwaas utth gaya tha uska...Uss ghatna ko yaad karte hue uski aankho se do bund aansu apne aap gaalo par gir gaya aur himmat karke usne jawaab diya.
Sameer:- No Shruti...I Dont Love You...And I cant love anyone.
Sameer ki aawaj me ek dard tha jisse sun kar Shruti ke dil toot gaya...Kitna yakin ke saath usne Sameer ko propose kiya tha ye soch kar ki Sameer uska pyar accept kar hi lega...Lekin Sameer ne uske dil ka tukda tukda kar diya...Bahut chot pahuncha Shruti ko...Kuch pal yunhi wo chup rahi...Lekin wo abhi bhi haar maane waali nahi thi.