Ashna ke jate he Virender ne hotel se khana order kiya. Koi 15 minute ke baad jab Virender apne cabin main ghusa to Ashna sofe per baithi susta rahi thi.
Virender: thak gayi kya????
Ashna: God !!! Veer, aap yeh sab kaise manage kar lete hain?? Main to baar baar sediyaan chad ker utar ker he thak gayi hun.
Virender: jald he tumhe bhi adat pad jayegi.
Ashna: na baba na, main to ghar main he theek hun.
Virender: to chalo fir done, hamare paanch bachoon ko tum palogi aur main unke liye paise kama ker launga.
Ashna: 5?????
virender(masoomiyat se): kam hain???? chalo 1-2 aur jod lo magar is se zyada nahin. Main insaan hun tarzan nahin yar.
Ashna ne jhootha gussa dikhate hue Virender ko marna chaha magar Virender ne Ashna ko bahoon se pakad ker apne seene se chipka liya.
Virender: tu to khud mera baccha hai meri gudiya.
Ashna ne bhi Virender ko kas ker jhakad liya.
Ashna: Aap ke har bacche ka khayal rakhna meri zimmedari hai Veer.
Is se pehle ke Virender aage kuch bolta, cabin door knock hua. Ashna jhat se Virender se door hati aur sofe per baith gayi. Virender bhi apni chair per baitha aur bola " yes, come in". Hotel se khane ki delivery aayi thi.
Khana khane ke baad Ashna boli: Virender, yahan bahut bore feel ho raha hai, main ghar ja rahi hun.
Virender: aaj hum log ghar nahin jayenge.
Ashna: kya matlab????
Virender: matlab yeh ke maine recently he Noida main ek bungalow khareeda hai. Abhi tak wahan jane ka moka nahin mila. Aaj ka din khas hai to soch raha hun ke aaj "grah parvesh" bhi kar loon aur wahan jaker apne dil ki hasratein bhi puri kar loon.
Ashna ka chahra ek dam gulabi ho geya.
Ashna(sharmate hue): waise aaj kya khaas hai????
Virender: aaj, main ek Pyari si gudiya ko hamesha hamesha ke liye apni banane wala hun.
Ashna(sharmate hue): agar wo gudiya mentally prepare nahin hui to???
Virender: physically to bahut khili hui hai agar mentally prepration thodi kam bhi ho to chalegi, main use itna pagal kar dunga ke mere pyar main kuch bhi kar jayegi.
Ashna: aisa mat kijiye na us ke sath, kahin mar he na jaye.
Virender: Jis ladki ne meri zindagi ki khatir itne khatre uthaye hain use to main ek aanch bhi nahin aane dunga.
Ashna ek dam bhavuk ho uthi. Ashna ki ankhoon ki nami dekh kar Virender ka dil bhi bhar aaya.
Virender(situation ko normal banate hue): yar tum to abhi se rone lagi, raat ko kya karogi.
Ashna ka chehra ek dam surkh ho utha sharam ke mare aur roni si soorat banaker uske honth muskura uthe.
Ashna: mera rajkumar muje kabhi takeef nahin pahunchayega.
Virender: chalo aaj raat tumhara yeh bharosa bhi toot jayega.
Ashna(kamar per hath rakhker): what do you mean???
Virender: yahi ke tum cheekhogi bhi aur chillaogi bhi lekin aaj main tumhe meri banaye bina nahin chhodunga.
Ashna: dhatt, nirdayi kahin ke.
Virender khilkhilaker hans diya aur Ashna bhi uske gale lag kar muskura di.
Kuch der baad, Ashna: Veer muje thodi der ke liye market jana hai.
Virender: main bhi free hun, chalo sath he chaltey hain.
Ashna: ji nahin, main akeli he chali jaungi. Waise bhi aaj kal aap office ke kaam main dhayan kam dete hain to aap office main he rahenge.
Virender: ab tumhare siwa kahin dil he nahin lagta.
Ashna(badi ada se): chal hat, awara ashik kahin ka.
Virender: awarapan to aaj dikhaunga tuje.
Ashna: ja ja, main nahin darti in dhamkiyoon se.
Virender: apne shabd wapis lele janeman, warna raat to bahut pachtayegi.
Ashna(ankhein badi karte hue): dhamki !!! apun ko dhamki. Jao aaj raat ka program he cancel.
Virender(kan pakadte hue): maaf kar de meri maa, tu to ek dam dil pe le leti hai yaar.
Ashna (muskurate hue): ab aaye na sahi line per, chalo nikalo.
Virender(hairani se ankhein fade hue): Ab is wakt!!!!.
Ashna ne bura sa muh banaya aur boli: cash nikalo janab, ab shadi karne ka vaada kiya hai to nakhre bhi uthane padenge mere.
Virender: kya baat hai, yeh hui na biwiyon wali baat aur jeb main hath dalker 500 -500 ke notoon ki ek ghaddi Ashna ke hath main thama di.
Ashna: itne zyada nahin chahiye.
Virender: kya yaar ek baar to biwi banker hukum chalati ho aur fir jald he behan ki hasiyat se bhai ke paisoon ki parwah bhi karti ho.
Ashna: kya karun, ab rishtey to dono he nibhane padenge na.
Virender: bilkul nahin, tum bas meri biwi banker he rahogi.
Ashna ne apni jeb main pasie dale aur darwaze ki taraf jate hue kaha " Ji bhaiya".
Virender: ruk to.
Ashna tezi se cabin door se bahar nikal gayi.
Ashna ke nikalte he Virender ke cabin ka door knock hua, Virender ne Darwaze ki taraf dekhe bina kaha " come in". Darwaza khula aur Ashna ne apna chehra andar kiya.
Jaise he Virender ki nazar darwaze se bahar khadi Ashna per padi, Ashna: bhaiya kehne se ek ajeeb si feelings aati hai yar aur yeh kehker Ashna ne Virender ko flying kiss di aur cabin ka darwaza band kar tezi se bahar nikal gayi.
Virender(romanch se bharte hue): tumhare bhaiya kehne se feelings to muje bhi bahut hoti hai meri gudiya , aaj yeh sari feeling tumhe bahoon main lekar feel karna chahta hun main. Hamesha hamesha ke liye aaj main tumhare sath ek naya rishta banana chahta hun lekin is se pehle tumhe bahut kuch batana hai aur bahut jald hum dono ko milker bahut kuch karna hai.
Sham ko Kareeb 6:00 baje Virender ne Ashna ko phone kiya to Ashna ne call pick ki.
Virender: kahan ho yaar, kitni shopping karni hai tumhe.
Ashna: Virender muje abhi time lagega aap please kuch der aur wait kar lijiye.
Saare employees apne apne ghar ja chuke they, Virender office main akela tha.
Virender: kya yaar, abhi se wait karwana shuru. Is tarah se to main mar he jaunga.
Tabhi Use apne peeche se awaz aayi "yeh marne marne ki baatein chhodiye janab, bhala aap kab se itne bhavuk ho gaye".
Virender: Ashna tum!!!!, lekin tumne to kaha ke tumhe aane main abhi time lagega.
Ashna: wo to main apki bekrari badhane ke liye bol rahi thi.
Virender(muskurate hue): lekin sach to kuch aur he nikla.
Ashna: matlab??
Virender: matlab yeh ke tum bhi utni he bekraar ho jitna ke main, tabhi to mere bulane per jhat se chali aayi.
Ashna: huh, very funny.
Virender: accha batao to kya kya khareeda hai tumne.
Ashna ne bags ko apni peeth ke peeche chhupate hue kaha: don't dare to touch Mr., "Yeh meri dresses hain". Aap inhe shouk se dekh sakte hain lekin tabhi jab main inhe pehnungi.
Virender: oh shit, main to bhool he geya tha ke tum sabse pehle ek ladki ho aur ek ladki ke liye uski new dresses ke sath sath agar uski bhi tareef ki jaye to sone pe suhaga ho jata hai.
Ashna(muskurate hue): bada kuch jante ho aap ladkiyoon ke bare main.
Virender: lekin ab sirf aur sirf tumhare bare main he janna chahta hun.
Ashna(Virender ko chidate hue): you are always welcome Bhaiya.
Virender: ruk, teri to aur yeh kehker Virender ne Ashna ki kalai pakad li.
Ashna(bhola sa chehra banate hue): chhodiye na Veer.
Virender: yar, tumhe chhodne ka man bhi nahin karta aur tumper taras bhi aata hai.
Ashna(ankhein nachatey hue): taras kyun??
Virender: Tumhare bhole pan ko dekh kar kabhi kabhi sochta hun ke kya hoga tumhara. Apne aap ko dekho, ekdam slim-trim chhui mui si gudiya aur muje dekho, hatta katta gabru jawan.
Ashna: gabru jawan ya saand????
Virender: kuch bhi samjo, sach main badi daya aati hai tumper.
Ashna:daya ko maro goli aur jo aapka dil chahta hai wo karo.
Ashna ne achanak se yeh baat bol to di lekin jaise he use apni galti ka ehsaas hua wo sharmaker Virender se nazrein churane lagi.
Virender: to iska matlab, tumhari taraf se puri chhoot hai.
Ashna sharam ke mare kuch bol nahin payi.
Virender: to chalein fir apne honeymoon per??
Ashna ka dil tezi se dhadkne laga lekin uske lab khamosh rahe. Virender cabin se bahar nikla to Ashna bhi uske peeche peeche bahar chali aayi. Virender ne gatekeeper ko showroom lock karne ke liye bol diya aur Ghadi main baith ker Ashna ke sath Noida ke liye nikal pada. Raste main Virender, Ashna se halki fulki batein karke uske tanav ko kam karne ka kaam kar rah tha.
Ashna: aapne Bihari kaka ko phone kar diya???
Virender: dopahar ko he phone karke bol diya tha ke hum dono ek meeting ke liye do chaar din ke liye kahin bahar ja rahe hain.
Ashna: 2-4 din????
Virender: kam hain???
Ashna: yeh to bahut zyada hain, yahan office main kam kon dekhega.
Virender: office ka kaam Mohit sambhal lega tum bas meri fikar karo.
Ashna: aapko to main sambhal he lungi.
Virender aur Ashna ki nazrein mili to Virender ko Ashna ki ankhoon main apne liye aseem pyaar nazar aaya.
Sham kareeb 7:15 baje tak dono bungalow main pahunch chuke they. Yamuna nadi se thodi he doori per bana yeh teen manzila bungalow bahar se he bhavyta ka prateek maloom ho raha tha. Bungalow ke aas paas(boundary wall ke bahar) ka ilaka maidani tha aur door kahin ikka dukka bade bade paid mazar aa rahe they. Bungalow ke ird gird ek badi si bundary wall thi aur uske andar ke area main kafi matra main alag alag kisam ke chhote chhote paid lage hue thay. Bungalow ko dekh ker he Ashna samaj gayi ke yeh newly constructed building hai. Bungalow ke andar aish-o-araam ki har suvidha uplabdh thi. Virender, Ashna ko Ist floor main ek room main le geya. Jiski pichli diwar(jo ki aadhi sheeshe ki thi) main lage pardarshi sheeshe se Yamuna nadi ka ek bahut he shandaar view dekhne ko mil raha tha tha. Halanki view kafi door ka tha magar Delhi jaise ghane shehar main is tarah ka nazara bhi dil ko kafi utsaah de deta hai.
Ashna: wow, yeh ghar to bahut he sunder hai. Dekho kitna accha view hain yahan se.
Virender: shadi ke baad hum yahin settle ho jayenge. Yeh meri taraf se tumhe shadi ka tohfa hai.
Ashna(View ki taraf dekhte hue) : waise dekha jaye to main kafi mehangi pad rahi hun aapko.
Virender: kya matlab???
Ashna: aapki zindagi main aate he maine aapki jeb dheeli karwana shuru kar diya. Dekhiye na sabse pehle aapne mere liye showroom se itni costly items pack karwa ker gahr main pahunchai, fir muje ghadi gift ki aur fir ab yeh itna bada bangla bhi muje gift kar rahe ho.
Virender: tumhe pasand hai??
Ashna: aapki di hui har cheez bahut pasand hai lekin in tohfoon se bhi bada tohfa aapke roop main jo muje mila hai, main use hamesha dil se lagaye rakhungi Veer.
Virender: tumhare liye to meri jaan kurbaan meri jaan.
Ashna: please aisi batein mat kijiye, aapko duniya ki har khushi milegi Veer. Har wo khushnuma pal jiske aap hakdaar hain, main vaada karti hun ke aapko wo milega. Main har sukh dukh main aapke sath hun Veer aur aapse bhi yahi umeed karti hun.
Virender: main har haal main tumhara sath dunga Ashna, chahe muje duniya ke khilaaf he kyun na jana pade lekin main tumhara sath marte dam tak nahin chhodunga.
Ashna: muje baki ka ghar nahin dikhaoge??
Virender: aaj nahin, aaj ki sari raat hum sath wale kamrey main guzarenge. Baki ka sara ghar tumhe kal subah dikhaunga.
Ashna ka chehra gulabi ho utha.
Ashna(baat ko palattey hue): sath wala kamra????
Virender: Wahan tumhare liye ek surprize hai. Ashna: kya, ek aur surprise?? Aakhir hai kya us kamrey main???
Virender: to chalo mere sath aur khud he dekh lo.
Ashna ka hath pakad ker Virender use room se bahar le geya. Thodi door chalker ek darwaze ke paas rukker Virender bola: Yeh wala darwaza kholo Ashna.
Ashna ne dhadaktey dil se room ka darwaza khola. Room main kafi andhera tha magar darwaza khulte he us kamrey se mehakti hawa ki jo lehar aas paas faili, us se Ashna ka dil romanchit ho utha. Ashna ne sharmaker Virender ki taraf dekha.
Virender: get inside.
Ashna andar ki taraf gayi to Virender bhi uske sath room main dakhil hua.
Virender: let me switch on the light.
Virender ne pehla switch ON kiya jiski light sirf bed per he focus thi. Ek bada sa gol bed kamrey ke beecho beech aur us per Silky white chadder ke sath do gol pillows jinper dark red colour ke covers they. Ashna ki nazar bed ke uper padi to laal Gulaab ke foulon ki pattiyoon se sara bed saja hua tha. Beech beech main halke cream colour ke chhote chhote fool bistar ki shobha ko char chand laga rahe they. Bed ki toh ke paas do bade bade guldaste they jinmain bhanti bhanti ke foolon ki shobha dekhte he banti thi. Suhaag raat ke bistar ko dekh ker Ashna ka dil romanchit ho utha. Apni pehli raat ke liye is tarah ke bistar ki har ladki kamna karti hai.
Virender ne doosra switch on kiya to Bed ke aas paas ka area bhi jhagmaga utha. Bed ke charo taraf, farsh per pure white colour ka bahut he mota kaleen tha aur bistar ke har aur chhat se shuru hokar farsh tak fuloon ki lambi lambi ladiyaan latak rahi thi. Alag alag fool, har tarah ke rango se saji un ladiyoon ko dekh kar Ashna ko aisa abhaas hua ke wo kisi baagh main pahunch gayi hai.
Virender ne is bar do switch ek saath on kiye to pura kamra roshan ho utha. Kamrey ke left side per bahut he bada aur naram sofa tha jabki right side bina kisi furniture ke thi. Right side main ek aur darwaza tha jo Ashna ke khayal se wash room ka hoga. Halke Moov colour ke paint se kamra aur bhi roshan ho utha tha. Ashna ki nazar bed ki back wall per padi jisko dark moov colour se curtains dhaka hua tha.
Virender(Ashna ke dimag main uth rahe sawal ko padte hue): yahan aao.
Ashna ka kath pakad ker Virender Ashna ko bed ke peeche le geya.
Virender: janti ho is dewaar ke peeche kya hai. Ashna, Virender ki ankhoon main dekhte hue na main gardan hilati hai aur puchti hai kya???
Virender muskurate hue ek patli si dori pakad ker jhatka deta hai hai aur Ashna ke samne jo nazar aata hai use dekh ker uske honthoon se nikalta hai "WOW".
Room ki pichli deewar per sirf glass tha aur us glass se Yamuna nadi ka jo nazara dikhai de raha tha wo apne aap main ek anootha nazara tha. Wahan se dekhne se aisa lag raha tha jaise Yamuna nadi bilkul paas (kareeb 50-60 metre he door beh rahi ho aur Nadi ke aas paas ki hariyali man ko moh lene ke liye kafi thi. Ashna ko aisa ehsaas ho raha tha ke wo kisi island main pahunch gayi hai.
Ashna: bahut he sunder nazara hai yeh to, I love it.
Virender(muskurate hue): kya tum bata sakti ho ke yeh nazar kitni doori per hoga.
Ashna: hummm may be 50 metre or less.
Virender(thahaka mar ker hanstey hue): bilkul galat, yeh nazara kam se kam Ek kilometer doori ka hai.
Ashna: what???? aisa kaise ho sakta hai. Yeh to bahut paas ka lag raha hai.
Virender: yeh sab is glass ka kamal hai. Yeh focussing glass hai. Yeh pehle image ko focus karta hai aur fir aisa view deta hai ke dekhne wale ko lagta he nahin ke is glass se jo image dikha rahi hai wo magnifying hai.
Ashna(hairan hote hue): I can't believe, It is unbelieveable.
Virender ne glass ki diwar main bane ek button ko dabaya to glass ka ek hissa thoda sa hilker ek darwaze ki tarah khul geya. Ashna muh khole Virender ko dekhti rahi.
Virender: come with me.
Ashna , Virender ke sath jaise he bahar gallery main aayi, mast hawa ke ek jonkey ne unka swagat kiya. Ashna ne samney ki taraf nazar uthaker dekha to Yamuna nadi ka nazara bahut door tha.
Ashna: yeh to sach main miracle hai Veer. Yeh to bahut he accha ghar hai, muje bahut pasand hai. Thanks is ghar ko khareedne ke liye. Maine is tarah ke ghar ki kabhi kalpana bhi nahin ki thi.
Ashna ek he sans main sab kuch bol gayi aur Virender Ashna ke masoom chehre ko dekh kar mand mand muskura raha tha. Ashna ko khush dekh kar Virender sukoon mehsoos kar raha tha.
Virender ko apni taraf dekhte hue Ashna boli: main bhi kitni pagal hun, khud he bole ja rahi hun. Aap bhi to kuch boliye Veer.
Virender: you are so beautiful Ashna, I love you (yeh baat Virender ne bahut zor se boli).
Ashna(sharmaker, dheme se): hold on my lover, thoda dheere boliye. Koi sun lega.
Virender: koi nahin sunega Ashna. Is bungalow ke aas paas door door tak koi nahin rehta.
Ashna(shararat bhari nazroon se Virender ko dekhte hue):to fir itni sunsaan jagah per ek ladki ko akele lane ka kya matlab????
Virender: dil ke armaan poore karne ke liye is se acchi jagah nahin ho sakti meri "Pagli Gudia".
Ashna: accha ji, to aaj aap puri taiyari ke sath aaye hain.
Virender: koi shak???
Ashna: bhala muje kyun koi shak hoga. Main janti hun ke din guzarana ab aapke liye kitne mushkil hain.
Virender: tum meri halat nahin samaj sakti Ashna.
Ashna: bilkul samaj sakti hun Veer kyunki main bhi utni he bechain hun jitna aap tadap rahe hain.
Virender: yeh bol ker tumne mere dil ka bhoj halka kiya hai Ashna ,nahin to muje yahi lagta ke yeh sab tum mere liye kar rahi ho.
Ashna: agar main na kar doon to kya aap apne dil per patthar rakh lenge.
Virender: ab to aadat si ho gayi hai Ashna, ab tak patthar he to rakhta aaya hun.
Ashna: to aaj tod do sare bandhan Veer aur muje apna bana ker hamesha ke liye mere ho jao.
Virender: ek baat jo tumse puchna chahta hun samaj nahin aa raha ke kaise puchun.
Ashna: boliye na Veer.
Virender(hichkichate hue): tum aaj ki raat mere sath Ashna banker bitana chahti ho yan meri "pagli gudiya" bankar.
Ashna ka dil ek dam tez dhadkne laga. Ashna ko khamosh dekh kar Virender bola: bolo na Ashna, Please muje tumhare jawab ka intazar hai.
Ashna: aapko apne bistar per kon chahiye Veer??