S
StoryPublisher
Guest
#41
“ हमें यहाँ अभी और कब तक बैठना पड़ेगा ? “ मैं अपने सामने बैठे एसआइ से बोला………
हमें यहाँ , पोलीस स्टेशन में आए हुए 1 घंटा हो चुका था…… जैसा की आम-टूर पर पोलीस स्टेशन मैं होता है…..हमें यहाँ लाकर बैठा दिया
गया था और इंतेज़ार करने को कहा गया………1 घंटा बीत चुका था और मेरे सब्र का प्याला अब भरने लगा था ………..
एसआइ ने मेरी तरफ घूर कर देखा और बोला…. “ आप लोग यहाँ दावत खाने के लिए नही आए हो ……..कहा ना , अभी साहब बुलाएँगे आप लोगो को “
तभी एक सिपाही उसके पास आया और धीरे से कुछ बोला …….एसआइ अपनी सीट से उठा और हमें भी साथ चलने का इशारा किया
…….हम दोनो और थोड़ी दूर बैठा हुआ नेहा का पति …….उसके पीछे पीछे चल दिए और अंदर वाले कमरे में आ गये ……….
अंदर वाला कमरा उनके “साहब” का था …………वो एक 32-33 साल का आदमी था , आवरेज हाइट का और गोरा रंग ………सामने टेबल पर नेम प्लेट लगी हुई थी ……विक्रम सिंग नेगी ………उसके स्टार्स बता रहे थे कि वो एसीपी रंक का ऑफीसर है ……….हम चारो उसके
सामने बैठ गये ………
उसने एक एक करके हम सबको देखा और फिर नेहा की तरफ देखते हुए बोला ………
“आपका नाम …?”
“ जी …नेहा वेर्मा “
“ कहाँ रहती हैं आप ?” उसने आगे पूछा…
“ जी ….राज नगर में “ उसने जवाब दिया…….
“ इन साहब को जानती हैं “ उसने मेरी तरफ इशारा करके पूछा…
“ जी हां ……….राजीव चौधरी ……..मेरे कोलीग हैं …….”
“ और यह साहब ? इनको जानती हैं आप ? “ उसने नेहा के हज़्बेंड की तरफ इशारा करते हुए कहा ……..
“ जी हां ………यह मेरे हज़्बेंड हैं ……..नीरज वर्मा “ कुछ हिच-किचाते हुए उसने जवाब दिया …………
“ इन्होने बताया है कि यह यहीं देहरादून में रहते हैं ………इसका मतलब आप इनके साथ नही रहती ….. क्यों ?” उसने आगे पूछा……..
“ जी हम लोग साथ साथ नही रहते हैं ……” नेहा ने धीरे से जवाब दिया…….
“ वजह ? “ उसने मुस्कुराते हुए अगला सवाल किया……
नेहा चुप हो गयी ……और मेरी तरफ देखने लगी ……..मैं तुरंत उस ऑफीसर से बोला “ देखिए …….यह इनका पर्सनल इश्यू है …..इस को पूच्छने का क्या मतलब “
उस ने एक बार मेरी तरफ घूर कर देखा और फिर नेहा से अगला सवाल किया …..” कल आप को यह कहाँ मिले थे ? “
“ जी…मेरे पापा के घर के पास “ नेहा ने जवाब दिया…….
“ आपके पापा के घर का अड्रेस ? “ उसने आगे पूछा…….नेहा ने एक बार मेरी तरफ देखा और फिर चुप हो गयी ……….
“ यह तो कोई पर्सनल सवाल नही है मेडम ? अड्रेस बताइए “ उसने कहा …….
नेहा कुछ सेकेंड्स सोचती रही और फिर एक अड्रेस उसको बताया…….जिसको हमारे साथ बैठे एसआइ ने नोट कर लिया……….
“ अब आप लोग कहाँ ठहरे हुए हैं ? “ उसने नेहा की तरफ देखते हुए पूछा…….
जवाब मैने दिया …..उसको देहरादून और मसूरी ….दोनो के होटेल्स के नाम बता दिए ………
सुन कर वो मुस्कुराया……….और फिर बोला “ अच्च्छा तो आप अपने हज़्बेंड और पापा का घर छोड़ कर , अपने कोलीग के साथ ठहरी
हैं…………क्या बात है ?” आख़िरी लाइन बोलते समय उसके चेहरे पर एक तिरछी स्माइल आ गयी थी …………मैं तुरंत उस से बोला
“ इस बात से आपको कोई मतलब नही होना चाहिए ऑफीसर…….”
“ मैने तुमसे कहा क्या बीच में बोलने को ? “………वो मेरी तरफ देख कर गुस्से में बोला………
“ लेकिन आपके क्वेस्चन्स पर्सनल होते जा रहे हैं …..” मैं भी थोड़ा गुस्से में बोला………..” आप ऐसे ट्रीट कर रहे हैं , जैसे हम लोग कोई क्रिमिनल्स हो “
“ अच्छा……….अब तू मुझे सिखाएगा कि मुझे कैसे बात करनी है …………” कहता हुआ वो अपनी चेयर से खड़ा हो गया…….. “ इन दोनो मिया बीवी के बीच में तू इंटरफेर कर रहा है …………इसके पति को सरे बेज़ार तूने मारा ………पचासो लोगो के बीच तू इसको जान से
मारने की धमकी दे रहा था ………और मुझसे कह रहा है कि मैं तेरे साथ सही से पेश आऊँ “
“ बिल्कुल सही कह रहा हूँ मैं ….आप काम की बात ना पूछ कर , फज़ूल की बात में टाइम खराब कर रहे हैं ……………” मैं भी अपनी जगह से उठ कर खड़ा हो गया और उसको घूर कर देखता हुआ बोला “ मैने आपके एसआइ को बताया था कि इन दोनो के बीच डिस्प्यूट चल रहा है ………डाइवोर्स पेपर्स फाइल किए हुए हैं , यह साहब सरे बेज़ार नेहा को परेशान कर रहे थे ……….मैने इनको पहले समझाया ,
और ना मान-ने पर इनको मारा………….इतनी बात पर आप मेरे को क्रिमिनल मान रहे हैं ……….और यह आदमी अपनी बीवी को सरे
बाज़ार परेशान कर रहा था , क्या यह क्राइम की केटेगरी में नही आता ……………..? “
वो मुझे घूरता रहा ……..और फिर अपनी सीट पर बैठ गया …….. और अपने एसआइ से बोला “ इन लोगो को बाहर ले जाकर , इनके स्टेट्मेंट्स लिख लो “
______________________________
#41
“ Hamein yahan abhi aur kab tak baithna padega ? “ main apne saamne baithe SI se bola………
hamein yahan , police station mein aaye huye 1 ghanta ho chukka tha…… jaisa ki aam-taur par police station main hota hai…..hamein yahan laakar baitha diya gaya tha aur intezaar karne ko kaha gaya………1 ghanta beet chukka tha aur mere sabra ka pyala ab bharne laga tha ………..
SI ne meri taraf ghoor kar dekha aur bola…. “ aap log yahan daawat khane ke liye nahi aaye ho ……..kaha na , abhi saahab bulayenge aap logo ko “
Tabhi ek sipaahi uske paas aaya aur dheere se kuch bola …….SI apni seat se utha aur hamein bhi saath chalne ka ishara kiya …….ham dono aur thodi door baitha hua Neha ka pati …….uske peeche peeche chal diye aur anadar waale kamre mein aa gaye ……….
Anadr wala kamra unke “Saahab” ka tha …………wo ek 32-33 saal ka aadmi tha , average height ka aur gora rang ………saamne table par name plate lagi huyi thi ……Vikram singh negi ………uske stars bata rahe they ki wo ASP rank ka officer hai ……….ham charo uske same baith gaye ………
Usne ek ek karke ham sabko dekha aur fir Neha ki taraf dekhte huye bola ………
“Aapka naam …?”
“ Ji …Neha verma “
“ Kahan rehti hain aap ?” usne aage poochha…
“ Ji ….Raj nagar mein “ usne jawaab diya…….
“ in saahab ko jaanti hain “ usne meri taraf ishaara karke poochha…
“ Ji haan ……….Rajiv chaudhry ……..mere colleague hain …….”
“ aur yeh saahab ? inko jaanti hain aap ? “ usne Neha ke husband ki taraf ishara karte huye kaha ……..
“ Ji haan ………yeh mere husband hain ……..Neeraj Verma “ kuch hich-kichate huye usne jawaab diya …………
“ inhone bataya hai ki yeh yahin Dehradoon mein rehte hain ………iska matlab aap inke saath nahi rehti ….. kyon ?” usne aage poochha……..
“ Ji ham log saath saath nahi rehte hain ……” Neha ne dheere se jawaab diya…….
“ wajah ? “ usne muskurate huye agla sawaal kiya……
Neha chup ho gayi ……aur meri taraf dekhne lagi ……..main turant uss officer se bola “ dekhiye …….yeh inka personal issue hai …..is ko poochhne ka kya matlab “
Us ne ek baar meri taraf ghoor kar dekha aur fir Neha se agla sawaal kiya …..” kal aap ko yeh kahan mile they ? “
“ ji…mere papa ke ghar ke paas “ Neha ne jawaab diya…….
“ aapke papa ke ghar ka address ? “ usne aage poochha…….Neha ne ek baar meri taraf dekha aur fir chup ho gayi ……….
“ yeh to koyi personal sawaal nahi hai Madam ? address bataiye “ usne kaha …….
Neha kuch seconds sochti rahi aur fir ek address usko bataya…….jisko hamaare saath baithey SI ne note kar liya……….
“ Ab aap log kahan thehre huye hain ? “ usne Neha ki taraf dekhte huye poochha…….
Jawaab maine diya …..usko dehradoon aur mussoorie ….dono ke hotels ke naam bata diye ………
Sun kar wo muskuraya……….aur fir bola “ Achchha to aap apne husband aur Papa ka ghar chhod kar , apne colleague ke saath thehri hain…………kya baat hai ?” aakhiri line bolte samay uske chehre par ek tirchi smile aa gayi thi …………main turant uss se bola
“ iss baat se aapko koi matlab nahi hona chaiye Officer…….”
“ maine tumse kaha kya beech mein bolne ko ? “………wo meri taraf dekh kar gusse mein bola………
“ lekin aapke questions personal hote jaa rahe hain …..” main bhi thoda gusse mein bola………..” app aise treat kar rahe hain , jaise ham log koi criminals ho “
“ achchha……….ab tu mujhe sikhayega ki mujhe kaise baat karni hai …………” kehta hua wo apni chair se khada ho gaya…….. “ inn dono miya biwi ke beech mein tu interfare kar raha hai …………iske pati ko sare bazaar tune maara ………pachaso logo ke beech tu isko jaan se maarne ki dhamki de raha tha ………aur mujhse keh raha hai ki main tere saath sahi se pesh aaoon “
“ bilkul sahi keh raha hoon main ….aap kaam ki baat na pooch kar , fajool ki baat mein time kharaab kar rahe hain ……………” main bhi apni jagah se uth kar khada ho gaya aur usko ghoor kar dekhta hua bola “ main aapke SI ko bataya tha ki inn dono ke beech dispute chal raha hai ………Divorce papers file kiye huye hain , yeh saahab sare bazzar Neha ko pareshaan kar rahe they ……….maine inko pehle samjhaya , aur na maan-ne par inko maara………….itni baat par aap mere ko criminal maan rahe hain ……….aur yeh aadmi apni biwi ko sare bazaar pareshaan kar raha tha , kya yeh crime ki category mein nahi aata ……………..? “
wo mujhe ghoorta raha ……..aur fir apni seat par baith gaya …….. aur apne SI se bola “ inn logo ko baahar le jakar , inke statements likh lo “