• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

[color=rgb(255,]"kaan ke neeche dena tha" ek ladki ki awaz aayi aur payal ne mudkar dekha ek usi ke age ki ladki thi jo khadi thi

"oh sorry mera Naam jaya hai" ladki has kar boli

"aur mai payal susheela madam ki nayi personal assistant" payal muskurai

"mandy hai wo, khud ko princess samajhti hai yahan ki aur madam ke bete kailash je peeche padi hui hai" jaya boli

"hone do jaya hame kya!?? Hame apne kaam se matlab hona chahiye, hai na??" payal boli

"wahi to lekin ye chudail karne de tab na, khair mujhse ye zyada nahi ulajhti, ainda agay uljhe to bata dena" jaya tevar lekar boli

Payal has padi, ladki achi hai

"chalo lunch karke aate hai" jaya boli

"lekin...." payal ne bolna chaha lekin jaya haath pakadkar use cafeteria le gayi

"mera bhook nahi hai jaya lekin mai ek coffee zaroor piungi" payal boli aur jaya ke saath baat karne lagi

"kailash ka interview to aapko hi milega madam" ek Awaz aayi t o payal ne dekha Mandy kuch logo ke saath baithi hui hai kuch door

"aur nahi to kya madam ke alawa kailash kisi ko interview dega hi nahi" doosre staff ne kaha.
Mandy ye sab sunkar mand mand muskurane lagi

"dekh chudail kaisi khush ho rahi hai" jaya boli

"chodd na jaya chal chalte hai" bol payal uth khadi hui aur apne desk ki aur chal padi

"tu na bohut bholi hai yaar, tension mat le mai tere Saath hoon na, kuch nahi hoga tujhe" jaya boli

Payal muskurai, kuch mile na mile ek dost bana liya tha usne aaj

"who's payal vardhan??" ek aadmi ne jaya se poocha uske desk me jaakar

"what is the problem??" jaya ne poocha
US aadmi ne jo kaha use sunkar jaya khush ho gayi
Jaya ne payal ki aur dikhaya ishara karke

"mrs payal Mr kailash has agreed to give an exclusive interview to you,today by an hour, be ready" aadmi bolar chala gaya

"WOWWWW congrats congrats" jaya daudkar aate hue gale lag gayi payal ke

"kya ho raha hai??" Mandy ki awaz thi

"wo kya hai na Mandy madam, payal ko kailash ka interview mil gaya hai, isliye socha congrats de doon use. Koi problem hai kya??" jaya ne natak karte hue poocha

Interview?? W wo bhi is gawar ladki ko?? Kailash mehra ka dimag to theek hai
Mandy ko interview nahi mil paaya tha abhi tak aur ye do take ki ladki??

Gusse se kaampne lagi mandy

" madam kya hua?? Payal coffee pila rahi hai, aaj join karengi??" jaya ne poocha

"go to hell" bol gusse se mandy chali gayi

"mai ye interview nahi le paungi jaya, mera pehla job hai kuch gadbad na ho jaaye" payal gidgidate hue boli

"are?? Log is mauke ke liye mar rahe hai, tujhe interview ke liye mai taiyyar karungi" jaya boli

Payal ko tasalli nahi mili, wo susheela ke cabin me gayi

"sorry payal, kailash mera beta ho sakta hai. Lekin ye uska personal decision hai ki wo kise interview dega" susheela boli

Aur koi raasta nahi tha payal ko manna pada
------------------------------------------------------------------
Payal neend se jald uth gayi aur Pooja ke liye ready hone lagi, interview ki taiyyari bhi jaise taise ki usne.
Apne kamre se aate hue tabhi usne ek kamre me jai ko dekha

Jai chupchap baitha hua tha

"jai ??" payal ne awaz do to jay ne badi mushkil se muskurane ki koshish ki

"fir wahi chehra lekar baithe hue ho??" payal boli

Jai chup raha

"chalo" payal boli

"kahan??" jai ne poocha

"Pooja me" payal boli

"is haalat me Pooja?? Bhabhi is haalat me bhagwan ki kya Pooja karunga" jai bola

"chalo to" bol payal jai ko le aayi aur Pooja karne ke baad ek badi si kitab nikali

"ye..."

"bhagwat Gita" payal boli

"lekin ye kyun??" jai ne poocha

"Saare sawalo ka jawab yahan hota hai" payal boli

"lekin mere jaise hare hue logo ke liye nahi hai kitab" jai bola

"haara to Arjun bhi nahi tha jai, fir kyun unhone yudhh na ladne ka faisla kiya?? Ek shoorvir ko sahi raah par laya kisne?? Is murlidhar ne" payal en bhagwan ki aur dikha kar bola

"lekin...." jai fir bola

"karm karo jai karm...." payal boli

"lekin mai kya shuru karunga bhabhi mai to khud khatam ho chuka hoon??" jai bola

"agar ek daaku valmiki ban Ramayan likh sakta hai, ek buddhu aur mandbudhhi sa ladka bharadwaj ban sakta hai tum shuru kyun nahi kar sakte??" payal boli

Jai ne chalakte hue aansu se payal ki aur dekha, maa ko kho chuka tha wo.
Aaj payal ko ek maa ke roop me dekh raha tha wo

" bhagwan ka aashirwad lo jai, aur apne Naam ko sarthak karo"payal boli

Jai khada hua, to kya hua ek ladki ne use chodd diya ho, to kya hua uska Sapna chaknachoor ho gaya
Wo fir shuru karega, sab kuch fir se karega
Vardhan ka khoon hai uske Rago me[/color]
 
[color=rgb(255,]Payal jald taiyyar ho gayi aur nikal padi
Aaj ranvijay jald office ke liye taiyyar hokar chala gaya

"stop sir stop" payal ne cab wale se bola

"it's 4 dollars ma'am" cab wala bola to usne paise diye aur building ki aur dekhne lagi

Ek bade se building ke saamne khadi thi kya aalishan building hai, payal sochne lagi

"I have an appointment with Mr kailash, I'm payal vardhan" payal boli

"oh I thought Mandy ma'am would take the interview" receptionist payal ko dekhkar boli

Payal ko samajh me a gaya tha ki use koi pasand nahi karta
Lekin use pata nahi tha ki mandy payal ke khilaf is building me bhi zahar ghol chuki hai

"oh Ms payal, please come Mr kailash was waiting for you" ek aadmi bola

"oh" bol payal us aadmi ke peeche ho li

Office kam 7 star hotel zyada lag raha tha
Payal charo aur dekhne lagi
Lift dheere dheere badhne lagi aur aakhirkar ruk gayi

"please" bol us aadmi ne aage raasta dikhate hue ek kamre ki aur le gaya

MD office

"may i come in sir??" payal ne jaise hi awaz di kailash ne apna chashma utar diya aur turant khada ho gaya

"oh payal, mera matlab ms payal please come come, please sit" bol baithne ka ishara kiya kailash ne

"thank you sir" payal boli aur baith gayi

Sir??agar ye bat sach saabit hui ki ye kailash ki behen hai to.... Kya bhaiyya nahi bula sakti payal??

"sir??" payal ne fir awaz di

"oh sorry I was.... Khair kuch lengi aap?? Chai?? Coffee?? Oh gosh time to dekhiye?? Lunch ka ho gaya hai chaliye lunch karke aate hai" kailash bola

"sorry sir, mai interview ke liye aayi hun, wo bhi ek magazine ke liye.to please ye sab formalities chodd kar mudde par aayen??" payal boli

"oh I I'm sorry,lekin ek cup coffee to banta hai" kailash bola

"ok but only coffee" payal muskurate hue boli

Aur fir interview shuru hua, payal dheere dheere apna nervousness chhodkar serious se serious question poochne lagi aur kailash uska jawab dene laga

"OK, I think this is enough. Thanks for your time Mr kailash" payal jaane lagi

"kaise jaogi??" kailash ne poocha

"cab se, kyun??" payal ne poocha

"mai khud tumhare office ja raha hoon chalo ek Saath chalte hai" kailash bola

"n nahi sir, mai chali jaungi" payal boli

"are bhai darne ki zaroorat nahi hai, kha nahi jaunga" kailash haskar bola

"nahi sir mai.."

"sir ki baat na mano, lekin ek bhai ki baat nahi manogi??" kailash muskurate hue bola

Payal hairan reh gayi

"ab chalo mai aata hoon" kailash bola

"aaiye madam" ek Indian assistant payal ko lekar sofa par bitha diya aur chala gaya

"yahi hai wo ladki jisne Mandy madam ka patta kaata??" ek ladki ne doosri ladki se poocha
Payal sab sun rahi thi

"bloody gawar Mandy madam se takkar lene chali hai" doosri ladki boli
Payal ne ignore karna chaha dono ko, kailash sir ke aate hi wo nikal jayegi is jagah se

"hey you bloody gawar, Mandy ma'am aur kailash sir ke been nahi aana samajh gayi??" ek ladki boli

"excuse me??" payal boli

"oh ho jaan boojhkar natak kar rahi hai saali" doosri ladki bolo

"plz mind your language" payal boli

"hame language sikhayegi, hum dono senior post par hai samjhi tere jaisi ladkiyon ko naukrani banakar rakhte hai" doosri ladki boli

"stop it" payal boli

"stop it ki bachi" ek haath maarne ke liye uthaya Pehli ladki ne aur uska haath kisi ne rok liya

"how dare you" kailash ke aankhon me khoon tha

DHAKKK

dhakka dekar gira diya usne us ladki ko

"flora?? I want to see these girls out of my building" kailash bola

"really? We will go to court, aap hame aise nahi nikal sakte" dono ladkiyan boli

"really??" kailash ka khoon kaulne laga
Itne dino baad unki nanhi pari unhe mili aur ye log.....

"flora, inke job contracts le aao, compensate them according to their contracts aur blacklist them" kailash bola
To do o ladkiyon ko dar lagne laga

"plz maaf kar dijiye sir ainda aisa nahi hoga" dono gidgidane lagi

"maafi madam se maango" kailash bola

"koi zaroorat nahi hai hai maafi mangne ki, insan ho aap log. Thodi insaniyat seekh lo aur har kisi se respectfully baat karo" payal boli

Kailash dekhne laga payal ko, koi doosri ladki hoto to kabhi maaf nahi kar paati aise situation me

"chalein??" payal boli to kailash muskurakar chal pada
------------------------------------------------------------------
"meera??" ranvijay hairan tha meera ko dekh kar

"kyun mai nahi a sakti??" meera ne poocha

"itna sab hone ke baad pooch rahi ho??" ranvijay bola

Meera chup rahi, sannata fail raha tha kamre me

"kaise aana hua??" ranvijay ne chuppi todi

"wo company ke staff tumse fir se milna chahte hai ranvijay" meera boli

"meri to baat ho chuki hai unse" ranvijay bola

"fir se milna chahte hai" meera boli

"khair mil lunga, mujhe ab ek studio tour ke liye Jaana Hai meera so..." ranvijay uthte hue bola

"mai bhi nikal ho rahi thi" meera boli

"mai doosri taraf jaunga meera, tumhe bewajah taklif hogi, bye" bol ranvijay nikal gaya

Meera ke aankhon me aansu chalakne lage
Ranvijay poori tarah se meera ka Pyaar bhool chuka hai[/color]
 
[color=rgb(255,]Ranvijay ke floor tak hasne ki awazein a rahi thi
Kaam karne me problem ho rahi thi use

"yahan sign kijiye sir" ashwin bola

"hmm" ek jhalak dekhne ke baad Ranvijay ne sign kar diya

"ashwin...."

"boliye sir"

"ahem... Wo.... Agar kisi ke saath ek shaam guzarni ho to kaise approach karna chahiye" ranvijay ne poocha

"kya??"

"kuch nahi, btw itna shor kisliye hai bahar??" ranvijay ne poocha

"valentine's day hai aaj sir, mujhe bhi jaldi Jaana Hai wo...." ashwin ruk gaya, Ranvijay kahin kho gaya tha

"waise sir..." ashwin apne pocket se kuch nikalte hue bola

"agar aaj jaana hai to nikal , waise bhi aaj kaam kisi se hoga nahi" ranvijay bola

"sir ye lijiye" ashwin table par do ticket rakhte hue bola

"ye kya hai" ranvijay tickets ko dhyan se dekhne laga

"aaj pop show hai America ke best music bands ka, waise meri gf ne actually restaurant ka plan bana liya, socha shayad aap payal madam ko lekar..." ashwin bola aur chala gaya

Hmm music show, Ranvijay kho gaya apni yaadon me
Payal ke saath uski Pehli mulaqat, fir shaadi fir America aana
Kabhi zyada Waqt nahi de paaya tha payal ko

Tickets ko pocket me liye apne ghar rawana ho gaya ranvijay
-------------------------------------------------------------------
Payal ne apne kapde nikale aur nahane chali gayi.
Aaj ka din Wakai mast din hai, kailash sir se interview fir madam se appreciation
Wow aaj to masti karne ka....

AHHHHHHHHHHHHHHHH

Ranvijay ko samne dekhkar chilla uthi payal aur Saath hi apna chehra dhak liya jiski wajah se uske sharir me lipta hua towel gir gaya

Ranvijay statue ho gaya, uska dil itni zoro se dhadakne laga ki lagta hai sharir se bahar a jayega

Daudkar usne towel uthaya aur payal ko odh diya usse

Payal rone lagi, Ranvijay aankhen jhujaye baith gaya

"knock nahi kar sakte the??" rote hue payal ne poocha

Batao yaar apne room me knock karna padega ab se, khair ye Waqt ladne ka nahi tha.

"I'm sorry wo... Mujhe.... Knock karna chahiye Tha" ranvijay bola

"dekha..... Aap ko apni galti ka ehsas ho gaya hai" payal boli

"Haan..." ranvijay bola, lekin use samajh me nahi a raha tha ki uski galti kaise ho gayi

"ye tickets hai, music show ke liye, chalna chahogi??" ranvijay ne poocha

Payal ka mood acha tha, wo Maan gayi

Ranvijay jab payal ko lekar pohuncha to kaafi bheed thi

"take it sir" ticket check karne wala bola

do chote chote lights the jise haath me liya tha ranvijay ne

" are ise haath me lekar hilana hota hai... Can I have more?? "payal boli ticket checker se to wo khush hokar do aur lights de gaya ranvijay ko

" mai hargiz ise pakadkar nahi hilaunga, joker lagunga "ranvijay chillaya

" are... Hadh hai, thik hai aap na karna ho to na karo kam se kam show to enjoy kijiye "payal boli

Show start ho gaya aur payal chahakte hue lights hilane lagi Baaki Saare logo ki tarah

Ranvijay khada raha, ek Waqt lagta tha ki ye sab bewkoofi hai,lekin aaj kyun ye sab karne ka man kar raha hai???

Apne aap use haath uth khade hua aur usne zor zor se lights ko hilana shuru kar diya
Tabhi ranvijay ne dekha payal thak gayi nachte nachte

"mai kuch snacks laata hoon" bol chala gaya ranvijay

Ranvijay ke jaane ke baad payal baith gayi ek jagah par
Open show tha, kursiyan nahi thi, khade hokar enjoy karna tha

Thodi door par ek ped tha uske neeche baith gayi

"raat ko led ke neeche nahi baitha karte" ek meethi si awaz ne payal ko hairan kar diya
Usne Saamne dekha, ek bohut ho khoobsoorat si ladki khadi thi uske Saamne

"hi mera Naam meera hai" ladki muskurati hui boli[/color]
 
[color=rgb(255,]"kaafi shor sharaba tha isliye socha yahan a jaun, dekha to ek Indian ladki ped ke neeche baithi hai" meera boli

"oh, meera ji shor to hai, waise bhi yahan Indians kam dikhte hai, apa akeli aayi hain??" payal ne poocha

"Haan" meera boli

"oh.. Actually mere husband mujhe yahan le aaye hain, valentine's day kaise celebrate karte hai hum dono ko nahi pata, shayad yahi dono ek doosre ko gift de rahe hain, he he he" payal haste hue boli to meera ka chehra sakht ho gaya aur usne apne hont daanton ke beech rakh diya

"kya hua?? Gusse me lag rahi hain aap??" payal ne poocha

"n nahi to, acha mai chalti hoon fir kabhi mulakat hogi" meera boli aur chali gayi

Jaate jaate agar kuch payal dekh na paayi to gussa aur dard se bhare wo aansu jo meera ke aankhon me tha

Ranvijay aur meera kitni baar aaye the is jagah??
Shayad teen baar, har baar ranvijay meera ke pasand ka ice cream laata aur fir dono show dekhne ke baad chote se restaurant me khana khakar goodnight bolkar chale jaate

Aaj..... Aaj ranvijay is ladki ke saath.....
Aisa kya hai is ladki me, ek simple si ladki jo meera jaisi class ki nahi hai jo meera jaisi confident business woman nahi hai
Kitne awards jeete hai meera ne, bulandiyon ko choo aayi hai meera, Ranvijay ko ye ladki mili thi?????

Meera tez kadmon ke saath chali gayi wahan se

"yahan kyun baithi ho?? Kab se dhoond raha hoon. ye lo, bas yahi mili thi" ranvijay bola

"thanks" payal ne ice cream liya aur khane lagi

Purane dino ki yaad a gayi use
Wo galiyon nukkadon me ice cream khana.....

"ek restaurant book kiya hai, chalo chalte hai. Waise bhi show khatam hi hone wala hai" ranvijay bola

"bekar me paise kharch karne ki kya zaroorat, chalo mere Saath aaj treat mai doongi" payal boli aur ranvijay ka haath pakad kar daudte hue le gayi show se bahar
-----------------------------------------------------------------
"hot dog??seriously??"ranvijay ne muh banaya

" kyun hot dog khana nahi hai kya?? Dekho wo uncle aaj shaam se aise hi baithe hai, kam se kam do hot dog bikega to kuch paise milenge ranvijay "payal boli

" to kya Humne sabka theka liya hua hai Payal?? "ranvijay bola

" nahi sabka nahi, lekin agar kuch logo ka dukh door kar sakenge to harz kya hai"bol payal hot dog khane lagi

Ranvijay payal ko tuk tuk dekhe ja raha tha....

"chalo na hot dog khate hai Meera" ranvijay bola

"waak... Koi achi si restaurant me chalenge aur enjoy karenge, apne standards mat girao ranvijay" meera boli

.....

"kis khayal me kho gaye sir??" payal ne poocha to Ranvijay muskuraya

"bohut achi hai ye" ranvijay bola

"uncle can i take selfy with you??" payal ne hot dog wale se poocha to wo Maan gaya

Ek simple si ladki lekin jahan jaati hai khushiyon se poora mahoul badal deti hai

"waise ye meri party thi, aaj kisi Khaas shaks se interview tha jo poora hua" payal boli aur paise diye hot dog wale ko

"mera interview kab logi" ranvijay ne poocha

"huh interview sirf bade logo ka liya Jaata Hai" payal boli to Ranvijay hasne laga

Payal muskurao, aajkal ranvijay kuch zyada khush ho raha hai, ashwin ne ranvijay ke past ke baare me bataya nahi lekin health ke baare me bataya tha
Dawai kam ho chuki thi ranvijay ki
Aur doctors ne bol diya tha ki aise mahoul me ek saal ke Ander dawai band ki jayegi ranvijay ki

Tabhi ranvijay ka phone aaya aur wo busy ho gaya aur ek kone me chala gaya

Payal ko gussa aane laga tabhi usne ek buzurg ko raaste me jaate dekha

"sir, you are in the middle of the road, please move" payal chillai
Lekin wo aadmi fir bhi chalta raha

"SIR.." payal chillai, Saamne ek car tezi se a rahi thi
Time nahi tha, daud kar aadmi ke oopar kood padi wo

Dono raste se hatkar chitak kar gir gaye

"sir I'm sorry are you ok, madam thanks for help" ek aadmi bola shayad is shaks ka driver tha aur us shaks ko uthane laga

Koi 50-55 ke umr ka tha wo aadmi

"I'll take him from there" bol wo driver sahara dekar us aadmi ko le gaya

"kahan thi tum?? Koun tha wo aadmi??" ranvijay ne poocha

Payal ne koi jawab nahi diya, us aadmi ko dekhkar kyun laga ki wo koi apna hai
Strange soch kar payal car ki aur chal padi[/color]
 
[color=rgb(255,]"Arey?? Ye kya hua??" susheela chillai

"madam sir beech raaste me ja rahe the, achanak ek ladki ne aakar sir ko kheech liya warna..." driver bola

"aapko kitni baar bola hai ki.... Aur tum?? Saab ko akele kaise chodd diya tumne??" susheela bol padi

Driver ne sab bol diya

Dev chup the, kuch nahi bole

"har baar isi din tum gum ho jaate ho, kyun??" susheela boli

"tumhe pata to hai na susheela" dev bola

"sabko pata hai dev lekin hum kya karein??" susheela boli

"itna Saara paisa, property sab hai susheela lekin...." dev toot pade

"papa..." abhilash ne kandhe par haath rakha

"papa ek din misha ko hum is ghar me lakar rahenge" kailash ne muskurate hue kaha

Dev ko tasalli to thi nahi, dono bhai saalon se ye bolte a rahe the, susheela ne kitni mannate maangi
Kitne mandiro ke chakkar lagaye lekin...

Dev aur susheela apne kamre me chale gaye

"kailash maine kuch kaha tha tumhe us ladki ke baare me pata karne ke liye" abhilash bola

"bhaiyya wo maine..."

"jald pata karo yaar" bol abhilash chala gaya
------------------------------------------------------------------
Mr vardhan baar baar ghadi dekh rahe the
Aaj payal nahi aayi exercise karwane???
Kyun???

"are ashwin??" Mr vardhan ne ashwin ko awaz lagai

"kya hai sir??" ashwin ne poocha

"payal kahan hai??" Mr vardhan ne poocha

"kal shayad madam ka birthday tha sir aur..." bolte hi ruk gaya ashwin

"kal bahu ka birthday tha aur ghar me kisi ko pata nahi??" Mr vardhan haskar bole

Ashwin chup raha, use khud nahi pata tha madam ka birthday
Wo to kal jab usne madam ko apni maa se phone par baat karte hue dekha....

"papa?? Aap abhi tak yahi par hai?? Aapko bataya tha na exercise shuru karne ke liye?" bol payal ne Mr vardhan ke wheelchair ko garden ki aur le gayi

"tumhara birthday tha kal bahu??" Mr vardhan ne poocha

"t to kya hua papa?? Birthday to birthday hota papa, pehle chaliye aur aapne dawai khai??" payal bol padi

Mr vardhan muskuraye, jab se ye Pagal ladki aayi hai,ghar me ek nayi Jaan a gayi hai, aajkal health bhi sudhra hai. Apta nahi kya jaadu hai is ladki me

" offo he murlidhar main to bhool gayi, mera time ho gya bye papa"bol payal chali gayi

" papa?? "jai ki awaz thi wo

" bolo jay, koi admission mila college me?? "Mr vardhan bole

" P papa kya mai aapki mithai ki business fir se shuru kar sakta hoon"jai bola

Mr vardhan hairaani se dekh rahe the apne bete ko
Jo ladka apne higher studies ke liye India aaya tha wo ladka.......

"boliye na papa" jai ne fir poocha

"jai tum to...."

"papa sab ki baat suni, ab bhabhi ki baat sunkar dekhta hoon" jai bola

"zaroor beta, mujhe khushi hai ki tum ye business wapas shuru karne ja rahe ho, bohut khushi hai" Mr vardhan ke khushi ke aansu chalak pade

Jai bhi rone laga

"waise jai aaj ek plan hai mere dimag me" Mr vardhan bole
------------------------------------------------------------------
" k kya ye sach hai kailash?? "susheela boli

" Haan maa, uske haath me wahi nishan hai"kyle bola

"wahi to.... Wahi to... L lekin..." susheela ke liye apne aansuon ko Rokna mushkil tha

"maa... Ab ye sab mat karo... Lekin aaj wo aayi nahi??" Kyle ne apni ghadi dekhte hue bola

"maaaaaam....." hadbadakar payal Ander aayi

"Arey payal?? Aaj itna late??" susheela ne poocha

"Arey madam kya bataun..." bol payal ki bak bak shuru ho gayi

Aur susheela sunne lagi

"are dekhiye mai bhi kya bak bak karne lagi, madam?? Madam??" payal ne susheela ko dekhte hue bola

"a Arey mai bhi pata nahi.... Well payal apne desk me jao aur aaj late aane ki wajah se tum late jaogi, ok??" susheela boli

"OK madam" payal sar jhukate hue boli
Aur chali gayi

Jab se ye ladki is company me aayi hai susheela ki to jaise Jaan hi a gayi hai
Oopar se jab se kailash ne bataya ki wo haath me nishan....

"madam?? Aapne ms payal ke baare me poochtach ke liye bola tha na..... Pata kar liya hai" ek ladki susheela ke cabin me aate hue bola

Ab doodh ka doodh aur Paani ka Paani hoga
Susheela me man me kai sawal the[/color]
 
[color=rgb(255,]"bhabhi bhaiyya aap dono se baat karni thi" payal ne ashmita aur vijay se bola

"kya payal??" ashmita ne poocha aur dono ek doosre ko dekhne lage

"aap dono divorce kab de rahe hai??" payal ne poocha to vijay khada ho gaya turant

"ye kya mazak hai Payal??" vijay ne poocha

"kyun?? Aapko aur ashmita di ko 6-6 mahine rishi ko rakhne ka mauka milega, waise bhi sirf rishi ke liye aap dono ek Saath reh rahe hai na??" payal boli

"Haan lekin...." Vijay ne ashmita ki aur dekha

"payal..." ashmita ko samjh me kuch nahi a raha tha ki kya bole wo

"mai divorce papers bhi Saath laayi hoon, bas dono sign kar dijiye" payal boli

Dono chup rahe

"kya hua kuch boliye aap log??" payal ne dono ko dekhkar bola

Dono fir bhi chup rahe

"ashmita di ne dubara kisi aadmi ki aur dekha tak nahi to vijay bhaiyya aap ke liye jitni ladkiyan ka rishta aaya tha sab ko thukra diya" payal boli

Vijay aur ashmita ne payal ko dekha

"dono agar ek doosre se pyaar karte ho to jatao na, chupakar kyun rakha??" payal has kar boli

"payal tum..." ashmita payal ke Paas aayi

"nahi ashmita di, sachhai yahi hai. Lekin agar aap ise jhutlana chahti hai to divorce papers par sigh kar dijiye" payal boli

"all the best for your happy married life" bol payal ashmita aur vijay ko sakte me chodd kar Bhaag gayi

"oops mai to bhool hi gayi" wapas aakar payal ne ashmita ko vijay ke close la diya aur chali gayi fir se

"Pagal ladki" ashmita boli to vijay hasne laga
Dekhkar ashmita bhi hasne lagi ek nayi kahani shuru hone wali thi dono ki aur iska zimmedar anandpur ke galiyon ki ek mamooli si ladki thi jisne videsh me aakar bhi apne aap ko badla nahi tha

Payal kamre se aayi aur seedha Pooja ghar me gayi

"he murlidhar is ghar me sab ki khushiyan lautane ke liye thanks, bas ek aakhiri kaam karke wapas Jaana chahti hoon" payal ne bhagwan ki aur dekhkar kaha

Aur apne bag se kuch papers nikale,
Dekhne ke baad usne apne aansu poche aur dheere dheere wahan se chali gayi
------------------------------------------------------------------
"ye kya hai meera, bohut dino se dekh raha hoon tum is ghar ko jaise bhool hi gayi" bhushan bola

"ghar chalane ke liye kaam karna padta hai bhushan tumhare salary se ghar nahi chalta" meera kadwe swar me boli

"seriously?? Kya tumhe pata nahi tha ki meri salary se ghar nahi chalega??" bhushan ne poocha

"oh bhushan purana raag alaapna band karo" meera baat khatam karna chahti thi

"kyun purani baat shuru karte hi apne purane bf ki yaad a jaati hai kya??" bhushan bola

"Haan jisse tum har waqt haar jaate the bhushan" meera boli

"you....." bhushan ka gussa badhne laga

"tumhare liye hi use use kiya tha maine bhushan bhulo mat" meera boli

"use tumne kiya tha, tumne aur tumhara idea tha use til til kar barbaad karna, jo ab wo tumhe kar raha hai meera, yaad rakho jo bhi is plan me shamil tha koi nahi bachega" bol bhushan gusse se apne kamre ki aur chala gaya

"tum idiot ho bhushan, meera ab doosra game khel rahi hai, Ranvijay vardhan ab meera ko barbaad karne ki bajay use aabad karne ki sochega, bohut jald us payal ki jagah mai ranvijay ke bagal me khadi rahungi" meera ek kutil muskurahat ke saath boli

"bohut jald" muskurahat gayab hote hi whisky ka glass khali kar diya meera ne

Tabhi uske mobile me ek call aaya

"hello??" meera ne jawab diya

"mai hoon" doosri aur se awaz aayi

Shivraj vardhan ki biwi, huh

Phone Kaat diya meera ne, ab use koi zaroorat nahi thi kisi ki, wo akeli ladegi.
Agar uske liye bhushan se bhi ladna pade to wo taiyyar hai, kandha hoga ranvijay ka aur goli chalayegi wo

Hasne lagi meera
------------------------------------------------------------------
Aanchal whisky ka glass peeye ja rahi thi
Sab kuch ulta ho raha hai
Kyun.... Kyun... Wo 12th pass ladki me aisa kya hai ki wo sab kuch thik kiye ja rahi hai
Is duniya me ye sab nahi hota, nahi hota
Warna wo shivraj se Shaadi na karti

Meera ki bacchi phone nahi utha rahi hai, udhar vardhan parivar maze lekar mast hai

Kuch to karna hi padega, kuch zaroor karna padega

Ek raasta hai, sirf ek raasta

Purane pyade istemaal karne padenge
Payal jeet nahi sakti nahi jeet sakti[/color]
 
[color=rgb(255,]"sir??" teesri baar Chris ne Awaaz lagai

"hmm" jaise sapne se jaag utha ranvijay

"agar maine jo kaha aapko bura laga to sorry lekin mujhe laga yaad dilana chahiye" Chris bola

"suna maine" ranvijay bola

Ranvijay vardhan ne kaampte haathon se bag se papers nikale
Aur dua karne laga ki kaash papers galat ho
Lekin hatasha hi haath lagi use

"shaadi ka contract" ranvijay ke muh se nikla

Dekhte hi dekhte ek saal ho chala tha
Kuch hi mahine bache hue the. Aur ye contract bhi khatam hona tha

"lekin sir aapne ye contract kyun kiya" Chris ke sawal ka jawab khud ranvijay ke paas bhi nahi tha[/color]

[color=rgb(51,]EK SAAL PEHLE
ANANDPUR REGISTRATION OFFICE[/color]
[color=rgb(255,]"payal padh lo theek se" ranvijay bola

"ek saal ka contract...." payal dheere se boli

"Haan, mai nahi chahta ki kisi ko galat fehmi ho ki mai shaadi kar raha hoon, ek saal ke baad tum alag. Mai alag" ranvijay bola

Payal chup rahi

"tumhare Saare loans ko chuka diya hai maine, aur jo ghar girwi tha use bhi chura liya hai. Here are the papers" ranvijay ne papers aage badhaye

"ek choti si request hai" payal ne dheere se kaha

"bolo" ranvijay bola

"hamare is contract ke baare me kisi ko maalum nahi hona chahiye, daadi heart issues se guzar rahi hai. Unhe pata chala to wo..." payal ne aage kuch nahi kaha

Kuch der ke liye dono shaant rahe

"ek saal ke baad mai aapko aur is shaadi se door chali jaungi" payal boli

Ranvijay chup hi raha

"sir??" Chris ne chauthi baar ranvijay ko past se nikala

"hmm Chris please mai thoda akela rehna chahta hoon" ranvijay bola aur Chris ne situation ko samajh kar wahan se Jaana theek samjha

Chris ke jaate hi ranvijay sar pakad kar baitha
Use to acha lagna chahiye, wo ladki uske life se ja rahi hai jo use itna irritate karti thi fir..

TRING TRING

"hello??" ranvijay ne phone uthaya

"hai ranvijay, mai meera"meera I awaz sunkar ranvijay ko khushi nahi hui
------------------------------------------------------------------
" hello?? "kailash ne bohut try karne ke baad phone lagaya tha

" ji?? "ranjana ne phone uthkar kaha

" Mrs ranjana?? "kailash ne jaise hi ranjana ka Naam bulaya unka dil dhakk se reh gaya
Kahin...

CLICK

phone rakh diya ranjana ne, nahi nahi nahi
Wo.... Wo wapas un dino me nahi Jaana chahti. Payal uski beti hai bas uski........
Kaampte haathon se phone switch off kar diya usne

"sachhai ko jab tak chupaogi ranjana??" dadi peeche se boli to ranjana ro padi

"jab tak mai zinda hoon tab tak, kya karun maa mai kya karoon" ranjana ne dadi ke seene me apna sar rakhkar apne aansu pochne lagi

"lekin beta payal ko haq hai janne ka apne past ke baare me, kya ye galat nahi hai" dadi ne poocha

"mujhe nahi pata kya galat kya sahi hai maa, lekin yaad hai unke guzarne ke baad kaise mai Mar si gayi thi. Tab ye pari ke roop me aayi thi. Aur mujhe jeene ka ek maqsad de gayi, yaad hai aap kaise uske bina so nahi paati thi, yaad hai kaise meri chadi je maar se bachne ke liye aapki peeche chup jaaya karti thi"ranjana ka rona jaari tha

"lekin beta kya khud ke liye usko sach nahi bataogi??" daadi ne poocha

"mujhe nahi pata maa, mujhe nahi pata" bol Ranjana apne kamre ki aur chali gayi

Ranjana ke jaate hi daadi ne table par pada hua mobile dekha aur use on kiya

Kareeb 25 miss calls the wo bhi koi doosre desh ka number se aaya tha

Tabhi phone fir se bajne laga aur daadi ne jhat se utha liya

"Haan.......... Kailash???........haan payal ki daadi bol rahi hoon..... Haan Mujhe pata hai payal ke baar me, lekin phone pe nahi seedhi baat honi chahiye is maamle me" bol daadi ne phone rakh diya

"sorry ranjana, apni khudgarzi ke liye payal ko sach se mahroom nahi rakh sakti" bol daadi apne kamre me Jaane lagi
------------------------------------------------------------------
Cab se apne doosre interview ke liye ja rahi thi payal
Bhagwan ne use kahan aur kaise kis situation me rakha wahi soch rahi thi, usne kisi ka koi nuksaan nahi kiya fir.....

Tabhi uski nazar door khade ek car par padi jiska accident hua hai aur waha ek buzurg Saamne seat se bahar latak raha tha, kaafi khoon beh raha tha uska

"Gaadi roko stop the car" payal boli

"madam this is quite dangerous..." driver bola

"I SAID STOP THE CAR BROTHER" payal chillai to hadbadakar driver ne car roki

Payal apne cab se bahar nikli aur daudkar gayi us buzurg ke paas

Un buzurg ja chehra dekhte hi chaunk gayi

"shivraj uncle??" uske muh se nikla[/color]
 
[color=rgb(255,]Payal ro rahi thi, roye ja rahi thi.
Kyun?? Kya rishta hai uska aur ranvijay ka?? Akad, ghamand, attitude aur jo bhi negative adjective hai sab ke sab hai ranvijay me, lekin kyun ek ajeeb sa rishta ban gaya tha.
Shaam ko uska ghar aana aur ek serious chehre ke saath laptop me ghuse rehna
Achanak kabhi kabhi surprise de dena, kabhi ghoomne le Jaana kabhi....

"are payal tum yahan??" jaya ki Awaaz thi wo

"are jaya??" payal normal hone ki koshish karne lagi

"aaj office nahi aayi??"jaya ne poocha

" nahi aaj man nahi tha, waise jaya ek baat batana "payal ne poocha

" Haan pooch "jaya ne poocha

"kya apne pyaar ke liye sab kuch sacrifice jayaz hai??" payal ne poocha

"achanak ye sawaal??" jaya thoda uncomfortable feel karne lagi

"aur jiske ke liye sacrifice kiya ho usi ne thukra diya.... Fir ek media house me Choti si naukri karna aur apne past ko bhool jana" payal boli

"STOP IT PAYAL" jaya dahad uthi

"khush Rehne ka natak karna,apne parivar se door Rehna aur, is media house me ek choti si job karna, aur chupkar rehna. Yahi kar rahi thi na jaya" payal ne poocha to payal toot gayi aur kaampne lagi

"kyun jaya?? Apne parivar se, doston se aur well wisher se door hokar kya paaya tumne??" payal ne poocha

"tumhe ye sab" jaya ka himmat jawab de raha tha wo rone lagi

"apne dost ke baare me itna bhi nahi pata chalega??" payal boli

Jaya ka rona jaari tha

"lekin ye sab kiske liye jaya?? Jisne dhoka diya wo apne life me aage badh gaya, fir tum kyun apno se chup kar yahan kaam kar rahi ho??" payal boli

Jaya ke paas rone ke siva koi jawab nahi tha

"pata hai tum dar gayi thi jaya lekin himmat karo aur sabko sach bol do, apne parents ke paas wapas jao aur unhe face karo, wo gussa karenge, daant lagayenge but in the end maaf bhi kar denge, ek dhokebaaz ke liye apna life ghut ghut ke mat jio" bol payal ne jaya ke kandhe me haath rakha aur chali gayi

Jaate Waqt ek nazar diya usne jaya par
Ro rahi thi lekin payal ko vishwas hai ki jaya sambhal jayegi, uski ek dost jo usne banaya tha is anjan desh me
Kaise kuch nahi kar paati uske liye
Wo bhi tab jab is desh me kuch hi din Baaki hai
-----------------------------------------------------------------
"BHABHI.... BHABHIIIII
.......PAYAL BHABHI" chillate hue jay sirf payal ko khoj raha tha

"bol kyun chilla raha hai??" payal ne pooe

"bhabhi maine 20 sweet ke store khol diye, ab mai ek naye safar par ja raha hoon all Thanks to you" bol jai pair choone laga aur mithai khilane laga

"isse kaam nahi chalega bhai kuch to dena padega" payal boli

"maangiye bhabhi agar mere haath me kuch hai jo ami aapko de sakta hoon to mai zara bhi peeche nahi hatunga" jai bola

"apni aankhen band karo" payal boli aur jai ne aisa hi kiya

Payal wahan se chali gayi aur kuch der baad ek ladki ke saath aayi

"ab aankhen kholo" payal bolo

Aur jai muskurate hue apni aankhen jaise hi khola pehle shock ho gaya fir uska chehra nafrat me badal gaya
Saamne roma khadi thi

"ye kya mazak hai bhabhi ye yahan kya kar rahi hai" jai gusse se chillaya

"kyun jai?? Iska yahan aana kyun khatak gaya tumhe??" payal ne poocha

"aapko pata nahi ye escort hai call girl hai ye..." bolte bolte ruk gaya jai

"Haan hai ye escort hai ye call girl, lekin tumhe dil se chaha hai isne aur..... Bura na manna jai tum shuruat me iske paison se reh rahe the" payal boli

"P please payal ji aise mat boliye, mai hi jaati hoon. Pata nahi kyun aapke Kehne par yahan aayi" roma boli

"nahi roma, tumne koi paap nahi Kiya, tumne apna jism sirf apna bhook mitane ke liye becha, tumne apni padhi poori ki aur ab mere Kehne Apr ek job karne aayi ho. Tumhara pyaar jai ke liye sachha hai. Aur agar jai ko iski kadr nahi to wo andha hai, sachha pyaar dikha nahi use"payal bol uthi

Jai aur roma dono chup the

"jai kya tum roma se bilkul bhi pyaar nahi karte??" payal ne poocha

"nahi" jai bola

"to thik hai roma mai tumhari shaadi dhoom shaam se mere ek colleague se kar doongi, waise bhi ye dono ke liye acha rahega, tumhare papa ne marte Waqt shaadi karne ko kaha tha na??" roma se poochne lagi payal

Roma chup thi, jai chup tha

"dekho dono chup ho gaye ye sunkar, ek kaam karo dono is kamre se bahar tab nikalna jab koi decision par pohunch jao" payal boli aur kamre se nikal gayi

"bhabhi"

"payal ji"

Jai aur roma dono chillaye lekin payal ja chuki thi

Dono ne ek doosre ko dekha aur kuch der ke baad achanak se has pade dono

"mujhe maaf karna roma, mai tumhe pehchaan nahi paya" jai bola

"nahi jai tumhe paschataap ho raha hai, yahi mere liye bohut hai. Aaj agar payal ji nahi hoti to shayad hum mil hi nahi paate" roma boli

"lekin ye sab kaise hua??" jai ne poocha to roma use batane lagi

Door khade payal sab sun rahi thi, bas do aakhiri kaam reh gaya
Ranvijay ko khush dekhna aur uski nayi jeevan saathi ko apne aankhon se dekhna

Aur doosra kaam....

Payal ne ek number se phone lagaya

" Haan maa...." payal boli

"bolo payal" Mrs sarita vardhan boli

"wo.... Papa." payal bolte bolte ruk gayi

"kya hua unko" Mrs sarita halki si bechain ho uthi

"wo seediyon se girkar kaafi chot aayi hai. Hospital me hai ICU me" payal boli

"KYA??" Mrs sarita boli
Lekin tab tak payal ne phone Kaat diya tha[/color]
 
[color=rgb(255,]Whisky ka glass haath me pakadkar ranvijay ko halki si bhi khushi nahi ho rahi thi

Party zor shor se chal rahi thi

"congratulations Mr ranvijay, ek aur studio. Victor frame ke studios ko 10 awards mile hai" ek buzurg ne muskurate hue haath milaya

Ek choti si feeki muskaan ke saath ranvijay ne haath milaya aur fir phone lagane laga payal ko
Damn it, phone switch off hai....
Aajkal payal ranvijay ko ignore kar rahi thi, pata nahi kyun...
Kya wo ranvijay se peecha chudana chah rahi thi??
Contract ke bas kuch hi din reh gaye the ab is haalat me.....

"kya soch rahe ho baby??" meera muskurate hue ranvijay ke kandhe par raath rakhte hue Saamne aayi

"meera maine kaha Tha ki mujhe time chahiye" ranvijay ne meera ka haath apne kandhe se hatate hue kaha

"ranvijay tumhe dikhta nahi, payal tumhare layak nahi hai, jaise bhushan mere layak nahi tha, mujhse galti ho gayi ki mai bhushan ka intension samajh nahi saki" payal boli

"mujhe in baato se koi dilchaspi nahi hai meera" ranvijay ne fir se payal ko phone lagaya
Fir switch off tha phone,
Kareeb 30 baar phone kiya tha ranvijay ne har baar switch off tha phone, kahin kuch....

"mujhe ghar Jaana Hai meera tum sambhal lena" bol ranvijay lagbhag daudte hue chal pada

"ashwin flight ki tickets confirm karo abhi" ranvijay car me baithe hue bola

"sir is Waqt to flight milega nahi" ashwin bola

"I don't care, I just bloody don't care, I want the flight booked now now now" ranvijay bola
Fir se phone lagaya payal ko. Switched off tha
Ye pagal ladki, Ranvijay ko gussa a raha tha
------------------------------------------------------------------
"kya???are you sure ??" abhilash ko ko vishwas nahi ho raha tha jo kailash ne kaha

"maine jo India me suna hai wahi bata raha hoon" kailash bola

"does ranvijay knows about it??" abhilash ne poocha

"doubtful, dadi ne mere alawa kisi ko nahi bataya is baare me" kailash bola

"hmm" bol abhilash soch me pad gaya

"bhaiyya, ab kya karein?? Payal ko direct bole ya fir ranvijay ko contact...." kailash ke baat ko abhilash beech me Kaat baitha

"who the hell is ranvijay jo hame uske through payal ke paas Jaana Hai??" abhilash kheej kar bola

"sahi Keh rahe ho aap.jitna maine suna hai unke beech sab kuch acha nahi chal raha hai" kailash bola

"ranvijay ko sambhal lenge, pehle papa aur mummy ko news dena hai aur ek baat kailash" abhilash muskuraya

"kya bhaiyya??"

"ek badi si party arrange karo, dhoom dhaam se hum apni behen ko poori duniya ke Saamne introduce karenge" abhilash haste hue bola

"aap sahi Keh rahe hai bhayya, payal ki entry dhoom dhaam se hi honi chahiye" kailash bola aur nikal gaya

Abhilash kuch sochne laga fir usne phone lagaya

"Haan...... Event planner???..... Haan Mujhe ek bada sa event karna hai, royal event..... Cost is not the factor.... Bas ekdum royal lagni chahiye" bol abhilash ne phone rakh diya
------------------------------------------------------------------
Mrs sarita jab ghar pohunchi to payal ne muskurate hue swagat kiya unka

"k kahan hai wo.... Kahan hai" Mrs sarita pareshan hokar boli

"pehle aaiye kuch dikhana hai aapko" bol payal ne Mrs sarita ka haath pakad liya aur bahar lawn me le gayi

"ab rukiye chupchaap" bol payal lawn me Mrs sarita ko chhodkar lawn ki aur gayi

"uff tumhari ye jhig jhig khatam hogi bhi kya??" Mr vardhan irritate hokar bole

"nahi hogi, bohut time pass kar liya aapne is wheelchair me, ab uthiye" bol Payal ne sahara dekar uthaya Mr vardhan ko aur Mr vardhan ladkhadate hue khade hue

"ab dheere dheere chaliye" payal boli

"uff aaj nahi hota mujhse" Mr vardhan bole

"wo mujhe kuch nahi sunna, chalna padega matlab padega" bol payal ne Mr vardhan ko chodd diya aur door khadi ho gayi

Mr vardhan dheere dheere chal pade payal ki aur

"dekha, I knew you can do it" bol payal hasne lagi

Mrs sarita hairaani se dekh rahi thi Mr vardhan ko, ye wahi insan hai jisne doctors aur nurses ko rakhne se mana kar diya tha, dawai nahi khate the
Doctors ne to ye tak Keh diya tha. Mr vardhan zindagi me kabhi bhi wheelchair se nahi uth sakte fir...

"papa aapne kaha tha ki agar mai aapko is wheelchair se bahar nikal Saku, to jo Mai maangu wo mujhe milega" payal boli

"Haan bola to tha, waise tujhe tension lene ki zaroorat nahi hai payal, properties kuch maine tere naam..."

"uff wo sab baad me, pehle mai wo mangungi jo mujhe chahiye" payal boli

"kya chahiye bata" Mr vardhan bole

"apni aankhen band kijiye" payal boli

Aur Mr vardhan ne aankhen band karte hi payal daudkar Mrs sarita ko kheech kar le aayi Mr vardhan ke saamne

"ab apni aankhen kholiye" payal ke bolte hi muskurate hue Mr vardhan ne aankhen kholi to jo shaks uske Saamne tha use dekhkar unki aankhen gusse se laal ho gayi
------------------------------------------------------------------
Aanchal ke phone lagaya lekin shivraj ka phone nahi lag raha tha
Credit cards aur accounts block kar diye the usne aur Saara ka Saara account freeze kar diya tha

Kya ho gaya hai shivraj ko, meera bhi phone nahi utha rahi thi

Meera ghar se bahar nikli aur car me baithi drive karne ke liye

"hi madam??? Pehchaana??" awaz ko pehchanti thi aanchal mudkar dekha usne

"h harshit??" itna hi bol paayi wo kyunki tab tak kisi ne uske muh me kapda rakh diya tha
Hosh khone se pehle usne harshit ko muskurate hue dekha[/color]
 
[color=rgb(255,]Mr vardhan ki aankhen gusse se laal ho chuki thi

"payal is aurat ko Jaane ke liye bol de, mai ise ek second ke liye bardasht nahi kar sakta" Mr vardhan kaampte hue bol pade

Mrs sarita vardhan sisakte hue Jaane lagi

"rukiye mummy" bol payal ne apne haath se Mrs sarita ko rok diya
In komal haathon me kamaal ki mazboot thi aur iska sabse bada saboot tha payal ke aankhon me confidence

"kyun papa?? Maa kyun jayegi??" payal boli

"tujhe pata nahi hai payal ye kis type ki aurat hai, tere bholepan ka fayda dekhkar yahan aakar teri zindagi bhi barbaad karna chahti hai, lekin mai aisa nahi hone dunga. Jab tak zinda hoon payal ko tu choo bhi nahi sakti" Mr vardhan chillate hue bole aur payal ke saamne a gaye

"papa relax, aapko poori story nahi pata hai" payal boli

"mujhe sab pata hai" Mr vardhan chillaye

"nahi pata aapko bhaiyya" ye awaz shivraj ki thi jo a chuka tha

Mr vardhan, Mrs sarita dono shivraj ki aur dekhne lage

Payal ne shivraj ke pair chookar aashirwad liye

"mai kya aashirwad doon beta mai to.... Khair bhaiyya jo mai Keh raha tha..." Mr shivraj ne bolna shuru kiya

Kaise aanchal se zabardasti shaadi karne par aanchal ne badla lene ke liye vardhan parivaar ko barbaad karne ke liye chaal chali
Vijay se uski wife ko door rakhna, Ranvijay ko pagal banana aur jai ko frustrated karke akela kar dena
Saath hi bhaiyya aur bhabhi ko alag karna

Sabhi gaur se sun rahe the shivraj ki baatein

"maine faisla kar diya hai bhaiyya, jab tak zinda hoon aap logo ke saath rahunga, apne business ko fir se vardhan family ke saath dissolve karne ka sach raha hoon, aur is pyari gudiya ke liye mai kuch property chodd kar Jaana chahta hoon" shivraj ne payal ke sar par haath ferte hue bola

Payal muskurati aur boli
"nahi chacha ji mujhe kuch nahi chahiye. Aap log ek Saath jud gaye bas mujhe aur kya chahiye"

"bhai is baat par aur bhaiyya ke is wheelchair se uthne ki khushi me aaj raat ko ek family party honi chahiye" shivraj bole aur hasne lage

Mr aur Mrs vardhan Paas aaye aur muskurane lage
Payal bhi muskurai, uska kaam khatam hua aaj uski aakhiri din hai is ghar me

"waise chachi kahan hai chachaji??" payal ne poocha

"us kulta ka Naam mat le beta, mai uske ishare par apne hi parivaar ko khatam karne chala tha" shivraj gusse se bol utha

"lekin chacha ji kya ye parivar poora ho sakta hai chachi ke bagair??" payal ne poocha

"tere Saath bhi galat kiya hoga mujhe yakeen hai payal, fir bhi tu uski wakalat karegi beta??" shivraj hairan tha

"koun sahi koun galat karta hai ye sab niyat, Waqt aur haalat par depend hota hai chacha ji, us Waqt aanchal chachi ke Saare sapne toot gaye the, aapne paison ke dum par zabardasti shaadi kar unki zindagi apne Naam kar li. Aise Waqt par koun aise nahi sochega?? "payal bol uthi

"Haan shivraj sab bhoolkar ek naye zindagi ki shuruat karte hai" Mr vardhan bole

Tabhi payal ka phone bajne laga

"hello??" payal ne unknown number se aate hue call ko uthaya

"hi darling pehchaana??" harshit bol

"tum?????" payal chillai

"shhhh iab isse zyada awaz kiya to aanchal ke body ke tukde tukde kar fenk denge" harshit bola

"kya chahiye tumhe??" payal thodi door jaate hue boli

"tum" harshit Bola

"matlab??" payal ne poocha

"ek ghante baad phone karunga,taiyar rehna aur kisi se agar is baat ka zikr bhi kiya to ye ladki gayi" harshit bola aur phone Kaat diya

"wo nahi aayegi kameene" aanchal boli

"wo aayegi, achai ka bhoot uske sar par sawar rehta hai, afsos yahan aana uski zindagi ki aakhiri achhai hogi" harshit hasne laga

"wo mujhse nafrat karti hai wo kabhi nahi aayegi" aanchal boli

"uske Saath 7 saal relationship me raha, pata hai uske baare Me, tujhe bachane zaroor aayegi" harshit bola aur aanchal sochne lagi payal ke baare me
-------------------------------------------------------------------
"sir ab to shaant ho jaiyye" ashwin bola

"pilot ko bol kar jaldi karo na ashwin" ranvijay bola to ashwin tuk tuk dekhne laga ranvijay ko
Is aadmi ko pata bhi hai kya bak raha hai???

"sir ab ye car ya bike to hai nahi ki accelerator par zor denge to wo daud kar bhagegi" ashwin bola

"I don't know ashwin, pata nahi kuch ajeeb sa dar lag raha hai, kuch khone ka darr" ranvijay bola

"payal madam ko khone ka dar" ashwin muskurate hue bola to ranvijay ne bebasi me dekha ashwin ko

"pata tha sir ek din madam se aapko pyaar ho hi Jayega, kitna bhi apne dil ko rok lijiye aap payal madam se pyaar karne se apne aap ko rok nahi payenge" ashwin bola

Ranvijay chup raha

"aapne socha tha contract khatam hone ke baad aap aur madam alag ho jayenge, lekin aisa ho paya sir??" ashwin ne poocha

Lekin ranvijay ke paas joo jawab nahi tha

"mujhe jald se jald payal ke apas le chalo ashwin, jald se jald" ranvijay dheere se bola

"lekin payal madam kya aapse pyaar karti hai sir??" ashwin ne Poocha to ek ajeeb sa dar lagne laga ranvijay ko

"pata nahi ashwin ab chup ho jao aur mujhe rest karne do" ranvijay ne aankhen band kar di aur chartered flight me soch me doob gaya

Ashwin jaise hi Jaane ko hua...

"aur please pilot ko bolo jaldi se le chale" ranvijay bola to ashwin haste hue chala gaya ranvijay ko sochta chodd kar[/color]
 

Similar threads

Back
Top