• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

[color=rgb(255,]Taaliyon ke saath factory ke Saare staff ne muskurakar swagat kiya ranvijay ka

"aur mai chahunga ki Mr ranvijay aakar sambhal le is factory ki responsibilities" Mrs sarita muskurate hue boli

Ranvijay kuch der ke liye apni aankhen band kar baitha aur flashback me chala
Gaya
------------------------------------------------------------------
"joker" mental hospital ke warden ne haste hue kaha aur ranvijay uski aur dekha

"what are you looking at you bloody creep" warden bola aur apne dande se ek baar kiya ranvijay ke kandhe par
Ranvijay kuch nahi bola, lekin uski kaano me hasne ki awazein suni

Ye ranvijay ka mazak nahi uda rahe the, use pyaar ka uske bholepan ka mazak udaya ja raha tha
Mazak udaya ja raha tha ek vishwas ka jo ranvijay ne kiya tha meera par
Acha Sila mila tha use. Ranvijay ne dekha tha vijay apni nam aankhon se ranvijay ko chod aaya tha mental hospital nahi to rape charge lag Jaata us par
Ranvijay ne dekha us sharmindagi ko jo vijay ke chehre par tha uske papa ke chehre par tha
Agar sirf agar bhagwan ne use ek mauka diya to wo...

"ranvijay??" payal ke awaz ke saath ranvijay wapas present me a gaya

"h Haan" bol ranvijay uthkar dheere dheere stage ki aur gaya
Taaliyan bajti ja rahi thi aur ranvijay ko Mrs sarita ne factory ki chaabi aur documents handover kar diya

Aur ranvijay ne apni andaz me apna lecture shuru kar diya aur workers ko apne confidence me le liya
Payal ranvijay ka sab roop dekh rahi thi

Vijay muskurate hue sab dekh raha tha, chahe kuch bhi ho jaaye apne bhai ke success par khushi ho rahi thi use tabhi Chris aaya uske paas
Chris to Ranvijay ka staff hai wo kyun a raha hai uski aur??

"sir I have something for you" bol chris ne vijay ke kaan me jo kaha wo sunkar statue ban gaya vijay

"I don't think we should waste any more time" Chris bola

Ranvijay ne tirchi aankhon se ye sab dekha aur jaldi jaldi sab khatam kar vijay ke Paas gaya
Payal dono bhaiyon me baatchit ko sun nahi pa rahi thi lekin use pata tha kuch gadbad hai
------------------------------------------------------------------
Ashmita subah ki chai pi rahi thi
Ek anjana dar tha jo abhi time ke saath ja raha tha

Tabhi gaadiyon ki awaz aayi use aur gaadiyon se utarte hue kuch log jo seedha uski aur a rahe the

"Ms ashmita?? We are legal team of vardhan group, aapke bete ki custody lene aaye hai hum" ek lawyer bola

"what rubbish, koun vardhan kaisa vardhan aur m mere bete ki Custody??" ashmita boli

"ye rahe court ke papers madam, agar aapne aapke bachhe ki custody Vijay vardhan ke Naam nahi ki to aap par legal case daal diya jayega aur ye bhi case add karenge jo aapne factory handover me delay karne ki koshish ki" doosra lawyer bola

Ashmita darr gayi, lekin wo kisi bhi haalat me rishi ko apne se door nahi karna chahti thi

"we need your response within 24 hours madam" lawyers ki team boli aur chale gaye Saare log

Ashmita ne apne sar par haath de maara aur foot foot kar rone lagi
Ab kuch nahi ho sakta??
Haan ek raasta hai, agar sarita madam kuch kar sake to.lekin kya wo apne bete ke against jayenge??
Waise kyun kar rahe hai vijay aisa?? Shayad vijay se direct baat karni chahiye
Ashmita ne socha aur nikal padi vijay ke paas

Vijay se milne ke liye kareeb 6 ghante intezar karwaya gaya aur tab jaakar ashmita ko milne diya gaya vijay se

"Mr vijay ye sab..." ashmita aage bol nahi paayi kyunki vijay ne rok diya tha

"ms ashmita legally rishi mera beta hai, ya kahun hamara beta hai" vijay shaant awaz me bol gaya
Ashmita statue ho gayi ye sunkar, nahi ho sakta ye nahi ho sakta Mr vijay wo insan nahi ho sakta

"USA ke mile the, nashe me dono dhutt the aur dono se galti ho gayi, jab maine tumhe dhoonda tum ja chuki thi kuch pata nahi chala tumhara, aur aaj tum mere bete ko yahan lakar chupaya hua hai??" vijay ne poocha

Ashmita ko kuch yaad nahi tha USA me kya hua tha lekin galti hui thi ye yaad tha

" maine rishi ko 5 saal paala hai Mr vijay usse pehle apne pet me 9 mahine rakha hua hai"ashmita boli

"I don't care ms ashmita, tum vardhan ke khilaf jeet nahi paogi, ho sake to forget you son,iske badle muh maango keemat diya jayega" Mr vijay bola

"paisa hi sabkuch hai?" roti hui ashmita ne poocha
Vijay ne koi jawab nahi diya

"you have 24 hours Ms ashmita, uske baad rishi aapke Paas nahi rahega, court orders hai" Vijay bola

"mai rishi ko apne se door nahi karungi Mr vijay, mai aakhir tak ladungi" ashmita boli

"good luck" vijay bola aur ashmita tezi ke saath kamre se bahar nikal gayi

Tabhi use ek phone aaya

"ms ashmita aapne aapka kaam nahi kiya isliye Humne apna kaam kar diya, rishi ke asli papa ko sab bata diya" bol shivraj zor zor se hasne laga aur ashmita chakkar khakar apna hosh kho baithi[/color]
 
[color=rgb(255,]"ye sab kya hai ranvijay?? Kisi maa se uska bachha cheen lena kahan ki na insaafi hai??" payal ne ranvijay se poocha

"apne kaam se kaam rakhogi to zyada acha hoga" ranvijay bola

"Hadh hai" bol gusse se kamre ke bahar chali aayi payal aur kuch sochte hue wapas kamre me gayi apna helmet uthaya aur ranvijay ke teekhe nazron ke Saamne se nikal kar apne scooty start karke seedha ashmita ke ghar gai

Ashmita ne jab darwaza khola to uski aankhen bheegi aur sooji hui thi
Shayad zyada rone ki wajah se

"Arey, aap.... To mr ranvijay ki...." ashmita payal ko expect nahi kar rahi thi

"wife hoon ashmita didi, lekin wife ke saath ek aurat bhi hoon" payal muskura kar boli
Ashmita nahi muskurai,lekin expressions se pata chalta hai ki use acha nahi laga payal ka aana

"dekho ashmita didi jo hua bura hua aur jo hoga wo bhi bura hoga agar aapne rishi ki custody ke liye fight ki to, vardhan ke pass paison ki kami nahi hai" payal boli

"agar wakalat karne aayi hai aap un kamine logo ki to aap ka sakti hai mrs payal" ashmita gusse se boli

"nahi ashmita didi mai wakalat karne nahi balki samjhane aayi thi" payal boli

"samjha diya?? Now you can go" ashmita boli

"rukiye aapne meri baat complete nahi hone di" payal boli
Aur ashmita wait karne lagi ki kab payal apni bakwas khatam karke jayegi

"rishi ko agar aap apne Paas rakhna chahti hai to uska ek raasta hai, sirf ek" payal boli

"kya??" hairan hokar ashmita ne poocha

"aapko vijay bhaiyya se Shaadi karni hogi" payal boli

"are you mad?? Dimag to kharab nahi hua tumhara??" ashmita cheekh padi, lekin payal shaant khadi rahi

"agar aapne shaadi ki to rishi ko aapse koi nahi cheen sakta, waise bhi apni poori taqat aur daulat ke bawajood vardhan kuch nahi kar payenge" payal boli
Ashmita ko kuch samajh me nahi a raha tha ki kya kiya jaay

"maine jo kehna tha Keh diya ashmita didi Baaki aapki marzi, agar aapko mere Kehne par kaam karna hai to mujhe call kijiye, mai ye ek paper par apna number chod kar ja rahi hoon" payal ne apne bag se jhat se pen nikala aur ek number likhkar use table par rakh diya

"chalti hoon, bye" bol payal to chali gayi lekin ashmita ko ek choti si asha dekar gayi thi

Payal ke man me bohut kuch chal raha tha
Sabse pehle vijay bhaiya ko samjhana padega, lekin wo rishi ke liye andhe ho chuke hai, ashmita didi ka ro ro kar bura haal hai unhe samjhaya lekin wo kuch samajhne ki situation me nahi hai fir rishi ko...
Rishi, achanak payal ki aankhen chamak gayi aur wo rishi ke school ki aur chali gayi.

Rishi chupchaap baitha hua tha, school ke bahar
Kal Raat maa bohut royi thi pata nahi kyun, aajkal vijay uncle bhi nahi aate hai.
Tabhi notice kiya rishi ne ek scooty uske Saamne aakar ruki aur usme se ek aunty a rahi thi uski aur

"rishi??" us aunty ne poocha uska naam
Mummy ne anjane logo se baat karne ke liye mana kiya tha
Lekin.....

"daro mat mai tumhari maa ki achi dost hoon ye dekho" bol shaadi ke photos dikhaye payal ne jahan wo ashmita ke saath khadi thi

"rishi aapko vijay uncle pasand hai na??" payal ne poocha to rishi ne apna sar hilaya

"aap chahte hai na ki vijay uncle aapke Saath hamesha rahe??" payal ne fir poocha
Rishi ne apna sar hilaya

"to aapko ye karna hoga" bol kaan me kuch fusfusaya payal ne aur rishi ko samjha ti chali gayi kuch baatein
------------------------------------------------------------------
"sir mangesh ki team hamare Saath baith kar baat karna chahti hai" ashwin bola

"hmm" bas itna sa jawab diya ranvijay ne
Is insan ki ye sabse gandi aadat thi, uske dimag me kya chal raha hai kisi ko ek hint tak nahi milta

"to karna kya hai??" ashwin ne poocha

"fix karo meeting, lekin kal subah 7 baje" ranvijay bola

"lekin ye kaise possible hoga sir USA se India aana oopar se flight, visa aur..." ashwin ko rok diya ranvijay ne

"not my bloody problem ashwin, I'm least bothered with their meeting" ranvijay bola aur apni tie ko thik karne laga

"OK sir mai message convey kar dunga" ashwin bola.

"ek aur meeting karwao" ranvijay ke chehre par ek shaitaani muskurahat tairne lagi

"kiske Saath??" ashwin ne poocha

"jo USA aur Europe me restaurant aur night club me king hai, is saal hotels me bhi apne haath azmane wala hai" ranvijay bola haste hue

"koun??" ashwin ne fir poocha

"ankan" ranvijay bola

"an.. An... Ank... Ankan sir???????" ashwin haklane laga
Agar ranvijay itna shatir aur Kameena hai, ankan ke to khoon me ye sab hai

"ankan ganguly, dhruv ganguly ka chota bhai" ranvijay bola aur kuch sochkar apne mobile me se ek phote nikal kar dekhne laga
Ankan aur ranvijay dono haste hue beer ki bottle pakde hue selfy le rahe the[/color]
 
[color=rgb(255,]"aane ka mauka mil hi gaya??" ranvijay ne apni watch dekhte hue bola

"sorry Yaar, kya karta time hi nahi mila" muskurate hue apne dost ke gale mila...

"ankan, tujhe pata hai na maine kyun bulaya tujhe??" ranvijay ne poocha

"bakchodi karne" bol hasne laga ankan
Jab se ye India me do saal Kaat ke aaya hai poora badal gaya hai ankan ganguly
Wahi betuka mazak aur bachchon jaisa hasna
Koi seriousness hai ki nahi??

"mangesh kothari ke baare me to jaanta hi hai" ranvijay ne poocha

"hmm jaanta hoon aur ye bhi jaanta hoon ki kyun milna chahta tha mujhse" ankan bola

"to fir kya kehta hai??" ranvijay ne poocha

"sorry ranvijay, uske dad ke saath papa ka business hai isliye kuch nahi kar sakta" ankan ne apne haath khade kar diye. Aur ranvijay ka tension badha diya

"lekin indirectly mai help karunga ranvijay" ankan ne ranvijay ke kandhe par haath rakhte hue kaha.
Ranvijay ko pata tha ankan Saath kabhi nahi chodega uska saath
Mental hospital se jab ranvijay aaya tha tab anknan ko khoon ke ilzam me India Jaana pada tha aur isi dauran dhruv ke saath video chat karte karte ankan ko introduce karwaya tha dhruv ne ranvijay ko
Hi hello se shuru hui dosti ab gehri ho chali thi
Ranvijay Victor frame ko lead kar raha tah aur ankan restaurant aur night club division

"shaadi me nahi a saka sorry" ankan bola

"wo shaadi bhi to...." ranvijay ne aasman ki aur dekhkar kaha

"jo hota hai usme hamara haath nahi hota hai ranvijay, har kisi ko sachha pyaar nahi milta. Tere Saath dhoka hua tha aur isliye tu aisa soch raha hai, lekin mai..."bolte bolte ruk gaya ankan, shayad Zakhm kured diya tha usne anjane me
Ranvijay samajh gaya

" chal mil le payal se use acha lagega"ranvijay ne kandhe par haath rakhkar bola

"aaj nahi dost, waise bhi shaam ko flight hai wapas, waise ek baat. Mangesh itna easy nahi hoga heeralal ki tarah, tedhi kheer hai. Bye tc" bol ankan uthkar chala gaya
Ranvijay use dekhta reh gaya, Waqt insan ke swabhav ko uske Bolne ke dhang ko, uske maturity ko kitna change kar deta hai
Khair time ho raha tha wapas Jaane ka aur wo wait nahi kar sakta tha
------------------------------------------------------------------
"madam isme mai zyada kuch nahi kar sakta, ek to unki lawyer ki ek team hai jo aaj tak kambakht koi case nahi haari hai, doosri baat ye ki agar DNA test hoga to decision unke favour me jayega" ashmita ka lawyer bola

"kuch nahi ho sakta sir??" ashmita ek aas liye poochne lagi

"agar rishi khud ye bole ki wo apne mummy ke saath Rehna chahta hai tabhi possible hai, we can give them a good fight " lawyer bola

"thanks sir, rishi kya kahega mujhe pata hai" ashmita boli

"zyada khush mat hoiye madam, bachhe bhi kabhi kabhi palti maar jaate hai, maine aise bohut case dekhe hai" lawyer bola

"but is baar nahi rishi wahi karega jo mai kahungi" ashmita boli

"thik hai madam, mai chalta hoon" .bol lawyer chala gaya

Aur ashmita apni aankhen band karke sochne lag gayi

"a sakti hoon" payal ki awaz ne ashmita ko chaunka diya

"tumne wo lawyer ko bheja tha??" ashmita ne poocha

"Haan, Maine bheja tha, mujhe pata hai ki aap par kya beet rahi hai ashmita di" payal boli aur ghar ke Ander a gayi
Ashmita ne ek gehri Saans li

"kyun kar rahi ho meri help?? Agar vardhans ko pata chalega to?? Nayi nayi shaadi hui hai tumhari payal, use ek talwar ki nok par chala rahi ho" ashmita boli

"sabse pehle to mai ek aurat hoon ashmita di, aap jaisi, aur isliye shayad mujhse ek maa ko apne bete se bichadte hue dekha nahi gaya" payal boli.

"mak coffee bana kar laati hoon, waise breakfast me poori sabji bani hai chalega??" ashmita ne poocha

"daudega" bol payal sochne lag gayi ki ashmita ke saath dene ka anjam kya hoga.
Jo hoga wo seh legi, parivar ko ek karna hai
Kaise bhi ek karna hai[/color]
 
[color=rgb(255,]"vardhan group vs ashmita sood, case 29.sunvai ho"

"milord ye Saare saboot aur ye DNA test ke aadhar par ye saabit hota hai ki rishi sood ke biological father mere client Mr Vijay vardhan hai, Saath hi Saath Ms ashmita sood ke Sri ram microchip factory ke handover me delay karna aur mere client ko mentally harass karna. Ye sab yahi dikhata hai ki ms ashmita sood mere client se paise ke chakkar me itna gir gayi ki basic morality hi bhool gayi"lawyer bola

"defence lawyer ko kuch kehna hai??" judge ne poocha

Counter attack karne ka koi matlab nahi tha defence lawyer ke Paas
Ashmita toot kar rone lagi, kuch nahi kar sakti thi wo, vardhan group ke Saamne kya tik paati wo

"aapka kya Naam hai beta??" judge ne poocha

"rishi sood" rishi ne jawab diya apni maa ko dekhkar. Ek nazar vijay par bhi daali usne

"aapko pata hai na aap yahan kyun khade hai??" judge ne poocha

"ji" rishi bola.

"to fir aap bataiye aapko mummy aur papa me se kiske Saath rehna hai??" judge ne poocha

Vijay aur ashmita dono ka dil zor zor se dhadakne laga
Kuch din pehle kuch lawyer ne rishi ko video games, chocolates, cartoons ka lalach diya to fir do din pehle hi main lawyer ne Disneyland ka lalach diya, dekhte hai kaam karta hai ya nahi. Vijay ko yakeen tha ki wo case jeet jayega

"uncle" rishi ne dheere se bola

"bolo beta, daro mat. Kisi Se darne ki zaroorat nahi hai, aap batao aap kiske Saath rehna chahoge" judge bola

"kya mai, dono ke saath ek Saath nahi reh sakta??" rishi bola

"beta aapko dono me se ek chunna hai" judge bola

"lekin papa aur mummy to ek doosre se bohut pyaar karti hai, bas ek chota sa jhagda ho gaya aur fir..." rishi ne nazre jhuka li

"y ye sab kya hai rishi,kyun jhoot bol raha hai tu sabke Saamne" ashmita court me hi chilla uthi
Rishi ne nazren jhuka li

"order order" Judge bola

"madam ye court hai, please iski dignity ko maintain rakhiye warna aapko majbooran mujhe is court room se bahar nikalna padega" judge bol utha

"sorry sir" ashmita baith gayi chup hokar
Lekin ye kya Bakwaas kar raha tha rishi??

"beta are you sure tumhare mummy papa ke beech sab theek hai?" judge ne poocha

"sir sir Ladka jaanta hi nahi kuch, bachha hai isliye..." lawyer ne baat sambhalne ki koshish ki

"bachha hai isliye sachha hai Mr vaidhya. Please chup rahiye" judge bola to lawyer chup ho gaya

"beta aap mummy papa ke saath rehna chahte hai?" judge ne poocha

"ji uncle" rishi bola

"hmm" bol judge ne kuch likhna shuru kiya aur ashmita ke saath vijay bechain ho utha judgement sunne ke liye

"poore maamle ko dekhte hue adalat is natije par pohunchi hai ki rishi sood ki custody dono ko Saath leni hogi, ek saal ka Waqt dete hai. Dono pati patni ko Saath rehna hoga, ek saal baad fir dono case lad sakte hai agar ye workout nahi hua to. Usse pehle nahi"judhe bola

Kya?? Ek Saath is Insaan ke saath??
Nahi nahi ashmita ko chakkar aane laga. Rishi dekh raha tha ashmita ko. Use wo khona nahi chahta tha, payal aunty ne jo kaha wahi kiya usne
He bhagwan sab thik kar dena

"sorry sir, mai kuch kar na saka" lawyer bola vijay se

"nahi yaar, you did your best. Last moment me rishi palat gaya" vijay bola

"ab aapko ms ashmita ke saath rehna hoga sir" lawyer bola

vijay ne ek gehri saans li aur apne hotel me pohuncha

Bags pack ho chuke the aur asmita nikalne wali thi rishi ke saath
Mrs sarita majboor thi, kyunki unke beto ne unki suni kab hai
Na wo ashmita ki madadkar sakti thi aur na use koi advice de sakti thi
------------------------------------------------------------------
"aap mujhse kyun milna chahte the sir??" roma ne poocha

"jay ki zindagi se door chali jao roma, sabke liye acha hoga" ranvijay bola

"aap??" roma ne poocha

"ranvijay vardhan, Jay ka bhai" ranvijay bola

"mai jay se pyaar karti hoon sir" roma boli

"fir ye kya hai??" Paul ne apna mobile nikal kar dikhaya roma ko to uske hosh udd gaye

"agar jay se pyaar karti ho to ye sab??" ranvijay ne poocha

Roma khamosh rahi

"jay ke milne se pehle karti to thik tha, lekin uske Saath Rehne ke baad bhi ye sab chalta raha" ranvijay bola

Roma chup thi, kya kehti
Ranvijay ne apne pocket se cheque book nikala aur kuch likhkar sign kar diya

"ek crore. Tum aur tumhare pitaji baith kar khayenge tab bhi paisa kam nahi padega, aur agar pada to maang lena. Chalta hoon" ranvijay uth kar khada ho gaya aur darwaze se ek baar roma ki aur dekha
Rone ke alawa kuch nahi kar sakti thi wo
Aur ye sab ranvijay kaafi dekh chuka tha

Gaadi uska wait kar rahi thi aur wo usme baith kar chala gaya[/color]
 
[color=rgb(85,]"sir aapne bulaya tha??" jay ne poocha principal se

"hmm jai, baitho" principal thoda tensed lage aur jay ko thoda ajeeb laga unhe aisa dekhkar

"sir" jay ne fir awaz di kuch der baad jab principal chup rahe

"Haan, dekho jay samajh me a nahi raha hai kaise kahoon" principal bole

"kya baat hai" poocha jay ne

"jay tumhara scholarship...." principal fir se atak gaye

"sir please aap mujhe tensed kar rahe hai" jay bola

"jay ye college tumhara scholarship cancel karti hai" principal bola

"sir??" jay khada ho gaya turntable

"tum ek honhar student's ho jay aur jo bhi college me jaoge, acha result doge lekin.... Yahan nahi" principal bol uthe

"lekin kyun meri galti kya hai sir??" jay roansa hokar bola

"education board ne review kiya hai tumhare scholarship ko aur cancel kar diya hai, waise zyadatar cases review nahi hote, aur tumhare scholarship me to koi problem thi bhi nahi lekin kya kare" principal majboor the

Jay chup raha, yani India se wapas Jaana padega

Kisi influencial aadmi ka haath lagta hai, jab tak koi badi power dakhal na de aisa kam hota hai

Jay thoda thoda samajh raha tha aur Jaan raha tha ki kisne kiya hoga ye
Achanak wo dar gaya aur uthkar Jaane laga

"tumhara character certificate acha hi banega yahan se aur tum mera number de sakte ho reference ke liye" principal bola

"b baad me baat karte hai sir mujhe jaldi hai" bol chala gaya jay office se bahar

Bahar aate hi jhat se roma ko call lagaya usne

"sorry jai, ye mera aakhiri voice mail hoga, is desh ko chod naye desh me ja rahi hoon. Kahan pata nahi. Lekin please mujhe dhoondna mat, aage badho aur apna sapna poora karo,tumhari roma"

Voicemail ke sunne ke baad baith gaya jay
Himmat nahi hui khade hone ki, ek Saath sab kuch cheen gaya uske life ka
Ek jhatke me
------------------------------------------------------------------
Payal ka rona abhi bhi jaari tha
Ranjana aur dadi kam nahi roye, beti ja rahi thi hamesha ke liye ye desh chhodkar
Kaise Na rote

"mai Jaana Nahi chahti ma, mujhe rok lo" payal to rahi thi

"beti paraya dhan hoti hai Payal, lekin har saal aati Rehna" ranjana ne samjhaya

"payal" dadi ne rote hue payal ko bulaya

"dadi" bol payal dadi se lipat kar fir se ro padi

"kabhi apne astitva ko mitana mat beta, jaisi hai waisi hi rehna" dadi ne payal je Gaalo me thapki dete hue bola

Gaadi fir se horn bajane lagi aur majboor hokar payal ko Jaana pada

Chartered flight thi aur wahan sirf ranvijay, payal, vijay, rishi, ashmita, Mr vardhan aur ranvijay ke staff the

Rishi zyada excited tha, baar baar bahar ki aur dekhna baadlo ko sarah a aur neeche zameen me dekhkar apni maa ko dikhana

Ashmita chup thi, vijay chup tha, payal abhi bhi roye ja rahi thi apna ghar chhodkar aane ke liye, Ranvijay apne aankhen band kar aage ki soch raha tha

Tabhi payal ko ranvijay ke staffs ki awazein sunai di

"ab saturn ki khair nahi" Paul bola

"I wish ki meera aur uska khandan raaste me bheek maange" Chris bola

Ashwin ne Haan me sar hilaya aur tabhi usne payal ko apni aur dekhte hue paaya

"sshhh" ek signal ke saath chup kara diya usne Chris aur Paul ko
Sabhi payal ko dekh ek smile dekar chup ho gaye

Kuch to gadbad hai, kuch to khatak raha hai Payal ko
Ranvijay hi clear kar payega ye doubt, waise bhi usne mujhe abhi tak apna past nahi bataya

Flight apne hisab se USA ki aur ja raha tha
------------------------------------------------------------------
"chalo na kahin bahar khate hai aaj" meera ne bhushan ko baahon me lete hue bola

"nahi meera mood off hai mera, meri research ki koi izzat hi nahi hai yahan par" bhushan jhunjhla kar bola

"isliye to Keh rahi hoon, bahar ghoomkar aate hai" meera boli

"are yaar Keh raha hoon samajh me nahi aata kya??" bhushan chilla kar bola

"wtf is wrong with you bhushan?? Mujhe bhi stress hai, Victor frame ne raato ki neend udayi hui hai, Ranvijay haath dhokar peeche pada hua hai fir bhi mai tumhare Saath kuch pal chain ki lena chahti hoon" meera boli

"na to tum wo khel khelti na ye sab hota, ab mujhe lag raha hai ranvijay hi mere research ko band kar raha hai peeche se" bhushan bola

"bhushan mujh par ilzam mat lagao, tum har din jhalla kar aate the ki ranvijay ke wajah se tumhe MIT me chance nahi milega, isliye tumhare liye..." meera ne bola to bhushan tab tak gusse me apne kamre me ja chuka tha

Meera dhamm se baith gayi apne chair me
Jis aadmi ke liye usne itna kuch kiya usi ne aaj meera ko suna diya

Apne mobile me se ek photo nikala usne
Ranvijay aur meera dono has kar pose le rahe the
Ek baar haath fera us photo par Meera ne
Lekin apne aankhon me chalakte hue aansuon ko girne se na bacha saki[/color]
 
[color=rgb(85,]"rukiye" payal bol padi

Ranvijay ne dekha payal ne salwar pehen rakha hai aur uske haath me thali hai

"jaldi, time nahi hai" ranvijay ne apna dar aage kiya tilak ke liye

"seriously??? Aaj Pooja hai ghar me, naye log aahe hai. Hamari shaadi hui hai" payal boli

"to??" ranvijay ne poocha

"to Mr busy, aaj sabko ghar me Saath Pooja karna hai" payal boli

"tumhe pata hona chahiye mai in sab me vishwas nahi karta" ranvijay bola

"honi aur anhoni ko taalne ya rokne me bhagwan ka bhi haath nahi hota ranvijay, aisa hota to krishn ji ko radha mil jaati aur mahabharat na hota" payal muskurati hui boli

"tum chahti kya ho payal, I don't have time for riddles" ranvijay bola

"mai chahti hoon ki aaj ek Saath Pooja me sab shamil ho, papa ke ek Jaan pehchaan wale pandit ji aaye hai" payal boli

"come on payal" ranvijay bola

"aap a rahe ho ya nahi??" payal ne poocha

Ranvijay Jaana chahta tha office, par pata nahi kyu....

Haath jod kar ranvijay baith gaya, Saath me vijay, ashmita aur rishi bhi the aur the Mr vardhan

"agar jay Pooja me hota to koi kami nahi rehti" payal boli

"kyun??" Mr vardhan me dheere se poocha payal ko

"matlab??" payal ko samajh me nahi aayi Mr vardhan ki baatein

"kyun kar rahi ho ye sab payal??" Mr vardhan bole

"kyunki ye mera bhi ghar hai papa aur koun nahi chahega ki uske ghar me koi Pooja na ho

Mr vardhan ne koi jawab nahi diya bas Pooja me concentrate karne lage

Pooja apne hisab se chal rahi thi aur sabhi usi me magn the tabhi ranvijay ka phone baj utha

"hmm hmm ok" bol ranvijay uth gaya aur payal ke kuch bolne se pehle hi chala gaya

"mai bhi chalta hoon" bol vijay bhi nikal gaya

Ashmita bhi rishi ko lekar chali gayi apne kamre ki aur

"mujhe pata tha ki ye kaam nahi karega payal, ye ghar nahi hai. Ye shamshan ghaat ban gaya hai" bol Mr vardhan apne wheel chair ko lekar Jaane lage to payal ne rok diya unhe

"ek din ye hokar rahega papa" payal ki awaz me gazab ka confidence tha

"sure??" Mr vardhan ne poocha

"as sure as getting you out of your wheelchair and making you walk" bol Payal ne muskurate hue hairaani se dekhne wale Mr vardhan ke pair chuye aur apne kamre ki aur Jaane lagi ki tabhi use ashmita dikhai di

"ashmita di??" payal ne awaz di to ashmita ne apne aansu poch liye

"acha kiya jo aap yahan a gayi" payal boli

"matlab??" ashmita ne poocha

"wo ghamandi aur attitude dikhane wale vijay bhaiyya ke saath bhi koi baith kar Pooja karta hai??" payal boli to ashmita ko 440 ka jhatka laga

"ye kya bakwas kar rahi ho payal??" ashmita ne halke lekin zor se kaha

"aur nahi to kya, jab dekho aapko tang karta hai, rishi ko rang karta hai aur achai ka dhong karta hai wo Insaan" payal boli

"payal don't cross your limit" is baar ashmita chilla uthi

"kyun?? Aap ko kyun problem ho rahi hai" payal ne poocha

"kyunki wo mere bacche ka pita ha.." itna bolte hi ashmita wahan se apne kamre me Bhaag kar chali gayi

Aur payal Muskura uthi
------------------------------------------------------------------
"soch lijiye madam" kumar ne ye teesri baar bola

"pata hai kumar lekin BB ko kharidne ke liye wo studio to bechna hoi padega, waise bhi loss me hai wo" meera boli

"aapko pata bhi hai aap kya Keh rahi hai?? Madam wo studio Aapka sapna hai, aapki Pehli apne haathon se banai hui studio hai, usne aapko Naam shohrat sab kuch diya" kumar bola

"pata hai kumar lekin BB ke liye funds nahi hai" meera boli

"aapko pata bhi hai koun kharidna chahta hai is studio ko??" kumar ne fir poocha

"Haan Viktor frame ka CEO ranvijay vardhan" meera boli

"fir bhi aap Maan gayi, doosre buyers bhi hai madam, aap kaho to unse baat karke dekhun??" kumar ne poocha

"itna amount koi nahi dega kumar, deal finalize karo victor frame ke saath" meera boli

"fir aapko ranvijay se bhi milna padega madam" kumar bola

"fine with me kumar, deal jald karwao" meera boli

Victor frame ne udreams kharid liya to saturn ko bhi kuch karna hoga wo bhi jald warna Victor frame poora lutiya dubo dega saturn ka
Is company ko is mukam me laane ke liye meera ne apna poora de diya, aur aaj use wo mitana chahta hai jo ek Waqt meera ke ek muskurahat ke liye apne career ko khatam kar chuka tha

"madam Mr ranvijay is on the way" kumar bola

"good kumar kab tak ayenge" meera ne poocha

"jald shayad pohunch hi gaye samjho" kumar bola

"koi kami nahi rehni chahiye satkar me, best arrangements kiya hai na??" meera ne poocha

"Haan madam, best wine,best Indian restaurant se khana poori khatirdari hogi" kumar bola

Tabhi call aaya kumar ko aur usne ishara kiya meera ko ki ranvijay a raha hai

Meera ka dil dhak dhak karne laga, itne saalon baad, kaisa hoga ranvijay, kaisa dikhta hoga
Suna hai kaafi handsome ho gaya hai aur utna hi smart, passionate aur

KHAT

"ms meera, its been a pleasure meeting you" deep navy blue suit me, red tie aur ek sweet sa smile
Meera ki aankhen band hona bhool gayi

"ms meera??" ranvijay ne awaz di

"h Haan, r ranvijay" meera ko pata nahi kya hua

"it's ranvijay vardhan" ranvijay ne ek sakht air shaant awaz me bola ki room ke ek thandi si khamoshi tair gayi

"ofcourse please have a seat" meera boli

"no ms meera we will discus with our respective teams in conference room" ranvijay bola aur meera ke cabin se nikal gaya

Meera je haath pair foolne lage ranvijay ke personality ko dekhkar
Wahi ashwin ko tajjub ho raha tha ki jahan payal jaise ek simple ladki ranvijay ke aankhon me aankhen daal baat karti hai wahi MBA kar chuki ek company chalane wali ladki ki haalat kharab ho rahi hai ranvijay ke saamne
Strange[/color]
 
[color=rgb(255,]Saari ki Saari saturn group ke employees excited the aaj
Ranvijay a raha tha
Victor frame ka CEO jisne ek aise company ki neenv rakhi jisne bas kuch hi saalo me Baaki gaming studios ki neend gayab kar di

Meera khadi thi haathon me bouquet lekar
Zamana ho gaya ranvijay ko dekhe hue aamne saamne
Pehle thoda bohut interview aaya tha, abhi busy schedule ke chalte interview dena band kar diya usne

POOOOONNNNKKKK

gaadiyon ke kaafile ko dekhkar meera muskura uthi

Hotel ke Saamne ruki gaadiyon ka kaafila aur ranvijay beech wali Gaadi se utar kar bahar aaya
Ek jhalak me meera statue hi gayi

Kya handsome ho gaya hai ranvijay,school me bade baal the jise ab usne chote kar liye
Poora clean shave aur personality to bas....

"madam??" kumar ne meera ko dekha to usne halka sa ishara kiya
Aur meera apne khayalon se bahar a gayi

"ranvijay tum.."

"nice to meet you Ms meera" ek smile ke saath meera ke haath se usne bouquet liya aur de diya ashwin ko aur kumar ke saath aage badh gaya conference hall me

"itne dino baad acha laga dekhkar ranvijay" meera boli

"50 million ms meera" ranvijay bola

"kya??" meera ne poocha

"aap jo gaming studio bechna chahti hai uske badle me"ranvijay bola

"too less" kumar bola

"Mr kumar are you the decision maker of saturn??" ranvijay ne apne Saamne rakhe hue pen se khelte hue bola
Kumar ne meera ki aur d kha aur apna sar khula liya

"good, so it's final, 50 millions" ranvijay bola
Meera. Muskurai aur ranvijay ke saath haath milaya
Ek solid handshake kiya ranvijay ne

"let's have lunch" ranvijay bola aur poori team uthkar chali gayi

Meera ko yakeen nahi ho raha tha ranvijay ko dekhkar
Itna badlaav??? Ye ranvijay wo nahi hai jo meera ki choti choti khushiyon ke liye daudta rehta tha

"tum to kuch kha hi nahi rahe ho ranvijay??" meera ne ranvijay ke plate ko dekhkar bola

"it's fine meera" ranvijay bola

Ranvijay ke favourite dishes order kiya tha meera ne lekin ranvijay ne use chua tak nahi

"lunch was really good" ranvijay bola jisne sirf roti aur daal khayi thi

"so Ms meera it's was nice meeting with everyone, agar hum competetors bhi hai to kya hua?? Hum beech me aise meetings kar sakte hai" bol meera ko bye bol nikal gaya ranvijay apni team ke saath

"iski meethi baaton me mat aaiye madam, jitna bakwas usne kiya hai sab ke sab jhoot hai" kumar bola lekin meera ko hosh kahan tha
Wo to sirf ranvijay ko dekhe ja rahi thi
------------------------------------------------------------------
"arr ye aap kya kar rahe hai madam??" ashwin sar ke maare bol utha

"khana bana rahi hoon ashwin bhaiyya"payal haskar boli

" ghar me khana banane ke liye Chaar log hai madam fir bhi?? "ashwin bola

" apne ghar ka khana doosre kyun banaye?? "payal haskar boli

Mr vardhan peeche se dekh rahe the payal ko
Chulbuli si, bas kuch hi dino me is jagah ko ghar bana diya
Bas ranvijay ko sambhal le aur kya chahiye unhe
Har kisi ke saath pyaar se baat karti hai, ghar ke naukar se lekar office ke staff tak har koi payal se milakar muskurane lagta hai
Kya hai is ladki me? Ek mamooli ladki hi to hai, fir kyun ranvijay se zyada is ladki ke charche hote rehte hai ghar me???

"papa chaliye aaj se aap ki exercise shuru" payal boli

"koi zaroorat nahi" Mr vardhan bol uthe

"zaroorat hai, agar aapko gajar ka halwa khana hai to" payal bol uthi

Mr vardhan ka chehra ekdum khil utha lekin fir payal ko dekh kar serious ho gaye

"to thik hai aaj plan cancel banane ka" payal boli

"cancel kyun m mai taiyyar hoon exercise ke liye" Mr vardhan bole

"hmm jab mai job interview se wapas aaungi tak karenge exercise" payal boli

"job??" Mr vardhan ne poocha

"Haan papa aaj mera interview hai, aapka aashirwad chahiye" bol payal jhuk kar aashirwad lene ke liye pair chuye

"lekin job ki kya zaroorat hai beta??" Mr vardhan hairan the

"har insan ko apni zindagi me kuch na kuch karna padta hai papa, mai ek. Educated ladki hoon kuch banna chahti hoon, is naye safar ke liye ho sake to aashirwad dijiye" payal boli

Mr vardhan payal ko bas dekhte ja rahe the[/color]
 
"come in" ek ladki ne awaz di to payal ka dil dhakk se dhadakne laga

Darte hue usne cabin me entry maari to dekha koi 40-45 saal ki ek mahila baithi hui thi

"so payal right??" us mahila ne payal ka resume dekhte hue bola

"y yes madam" darte hue payal boli

"no experience, graduation bhi jaise taise pass kiya tumne.... Well payal" mahila resume apne table ke side me karte hue boli

Sar jhuka liya payal ne

"ek helper ki post khali hai Payal, bas us post ke liye tum appoint ho sakti ho" mahila boli

"I'm fine madam" payal boli

"Indian??" mahila ne poocha

"yes madam" payal boli

"wo mujhe pata hai Payal, lekin iska zikr kyun nahi kiya tumne interview ke dauran??Naam Se hi pata chalta hai ki tum ek indian ladki ho" mahila boli

"kyunki mujhe ye job apni kabiliyat ke dum par chahiye thi madam, koi sifarish ya apne Indian hone par nahi" payal ne muskurakar namaste kiya aur hairaani se dekhte us mahila ke Saamne se nikalne lagi

"w well payal kya tum meri assistant banna pasand karogi??" mahila ne poocha to payal ne Haan me sar hilaya

Mahila muskurai, aur payal ke jaate hi apne table ke desk se ek photo nikal kar use dekh rone lagi
Aaj agar wo hoti to payal ke age ki hoti....

TRING TRING

phone bajne laga us mahila ka

" Haan kailash beta bolo" mahila ne phone uthate hue bola

"maa aaj ek business deal..."

THAAMP

phone rakh diya us mahila ne, sab bhool gaye us ghatna ko lekin use yaad hai.... Aur marte dum tak yaad rahega
------------------------------------------------------------------
Ranvijay kaafi thak gaya tha, meera ka saamna bohut dino... Galat bohut saalo baad hua tha, pehle to darr laga tha ki kaise face karega kya karega kaise sambhalega lekin....... Sab kuch thik ho gaya aur ek aur acquisition gaming aur entertainment industry me ranvijay ke kisso ne saturn ko poori tarah kuchal diya

Lekin ek baat ranvijay ko hairan kar rahi hai aur wo ye ki meera ko dekhne ke baad bhi kyun........ Kyun uska dil nahi dhadka, kyun gussa nahi aaya??
Kya log sahi Keh rahe hai ki use ab badle se oopar sochna chahiye????

"prasad" payal ne thali aage badhaya

Uchal pada ranvijay, poora dil payal ko nahi dekha tha usne aur ab uske chehre se nazar hi nahi hat rahi thi

"prasad" payal ne fir bola

"tumhe maalum hai mai in sab ko nahi maanta" ranvijay bola

"maanna ya na maanna aapke oopar hai, mujhe Bachpan se hi unpe vishwas tha, hai aur rahega" payal boli

"aur us vishwas ne kya diya tumhe payal??jise chaha use na paa saki, khud kuch na kar saki apne sapne poora na kar saki, ye hai bhagwan ki shakti" ranvijay ne poocha

"mere ex bf ka asli chehra dikhaya,ladna sikhaya mujhe, logo ka Pyaar diya aur fir se nayi shuruat karna sikhaya" payal boli

Ranvijay hairan tha payal ko dekhkar, kis mitti ki bani hai ye ladki

"prasad" payal ne fir poocha

Pata nahi kab anjane me ranvijay ne prasad ko liya aur kha liya

"waise meri job lag gayi hai global news me" payal boli to Ranvijay is baar chakkar khate khate gira

"are aap theek to ho?" payal ne poocha

"congrats" ranvijay ne payal ka haath apne haath me rakha

Is baar payal ka dil dhakk se dhadakne laga
Usne apna haath ranvijay ke haath se hatya nahi

Dono ek doosre ko dekhne lage aur door bhagwan sree krishna ki moorti un par shayad apna aashirvaad barsa rahe the
 
[color=rgb(255,]Mrs aanchal ne apne cigarette ko bujha diya

Payal ne open challenge diya tha ki wo is parivar ko bacha legi

Payal bachi hai use duniyadari nahi malum, nahi malum kaise shivraj vardhan ne aanchal ka rape kar usse shaadi ki aur uske poore parivar ko maar daala

Aur uska bada bhai?? Chup raha, apne bhai ko bacha gaya. Yahan tak ki usne apni patni ko bhi chodd diya jisne is ghinauni ghatna ka protest kiya tha

Mrs vardhan India chali gayi aur wahan apna chota sa business start kiya,
Lekin in bhediyon ko chain kahan unhone India jaakar us factory ko khareed liya

Fuck you ranvijay vardhan, fuck you
aanchal ne phone lagaya ek insan ko

TRING TRING

"hello??"

"ranvijay ko paana chahti ho meera??" aanchal ne kutil muskaan ke saath ek sip liya whisky ka

"WHATTTT?? WHO ARE YOU??" chilla uthi meera

"mai koun hoon ye important nahi hai, important ye hai ki tum ranvijay ko paana chahti ho ya nahi, agar Haan to call back karo is number par" bol aanchal je phone rakh diya

Ajeeb aurat hai, Meera ne Saamne rakhe desk par photo frame dekha, uske husband ke saath liya gaya photo

Meera ne us frame ko uthaya, kuch nahi raha pehle jaisa aajkal, uske pati ko na time rehta hai na hi interest

Meera ne aankhen band ki to use ranvijay ke saath bitaya hua pal yaad aane laga

Kaise ranvijay ka personality change hua?? Shaant confident aur smart

Uske peeche jitne bodyguards ghoomte hai uske muqable meera ka poora staff kam pad jayega

Aur.... Aur jab ranvijay ne meera ke saath handshake kiya tha, oh ranvijay

Meera ne jhat se apne phone se call kiya aanchal ko

"pata tha tum call karogi" aanchal muskurai

"I want ranvijay" meera ne lagbhag gidgidate hue kaha
------------------------------------------------------------------
Payal ne bhagwan ki pooja ki aur aarti ki thaali ko sajane lagi

"are chachi?? Ye koun se bhagwan hai??" chote se rishi ne payal se poocha

"ye bhagwan krishn hai" payal boli

"kya bhagwan mere mummy papa ko ek kar sakte hai??" rishi ne poocha

"agar sachhi bhakti se bhagwan se maango to sab mil sakta hai" payal boli aur aarti ki thaal lekar aage badhi

Ranvijay ke aage aakar tika lagaya aur prasad aage badhaya

"fir se??" ranvijay irritate hokar bola

"Haan fir se" payal boli

ranvijay ne prasad liya to payal jhat se daud padi
Late ho raha tha use office me

"m mai drop kar deta hoon" ranvijay bola

"nahi aapke drivers bodyguards ke saath nahi jaungi mai" payal boli

"ahem... M mai khud drop kar doonga" ranvijay bola

"aap khud??" payal hairan thi

"to tumhe kya laga mujhe drive karna nahi aata??" ranvijay gusse se bola

"hmm thik hia lekin aap zara door car khadi kijiyega" payal boli

"kyun??" ranvijay ne poocha

"kyun ka jawab nahi hota hamesha" payal boli

Ranvijay chidne laga, lekin pata nahi kyun wo Maan bhi gaya

.....

Car ruki aur payal bye bol chali gayi

HONK HONK

peeche se koi horn maar raha tha aur ranvijay car se utra us insan ka band bajane ke liye ki tabhi us car se ek shaks ko dekh hairaani hui fir khushi

"KAILASH...." chilla utha ranvijay

"KYLE.... bataya tha na call me KYLE" shaks ne gale lagte hue bola[/color]
 
[color=rgb(255,]"milna mushkil ho gaya tujhse" kyle bola haste hue

"kab se itna hasne laga kyle??" ranvijay ne muskurate hue poocha

"w wo bas... Waise tu car chala raha tha?? Seriously??" Kyle ne topic divert karne ke liye topic change ki

"wo main... W wo... Waise uncle aunty kaise hai??" ranvijay ne poocha

"ache hai waise congrats bro, shaadi ke liye" Kyle bola

"thanks waise I'm running late, see ya bro" ranvijay ne apni watch dekhi aur car me baith gaya

Kyle seedha building me ghusa aur seedha ek cabin me ghusa

"koun lega mera interview??" Kyle ne cabin me ghuste hue bola

"hai ek ladki Kyle" mahila boli

"koun??" Kyle ne poocha
Mahila chup rahi

"goddammit Mai kisi aire gaire ko interview nahi deta mummy" Kyle table par apne haath rakhte hue jhukte hue bola

"excuse me that's not a way to talk to a lady sir"

Kyle ne hairaani se mudkar dekha

Ek mamooli si ladki bina koi make up ke darwaze ke Paas khadi thi

"may i come in madam??" ladki ne poocha

"aao payal, inse milo ye hai kailash mehra" mahila muskurati hui boli

"k kailash m mehra??" payal boli

Kai baar magazine me photo dekhi thi payal ne is aadmi ko, lekin hai koun ye

"he's into arms manufacturing, aur liquor ka business sambhal rahe hai" mahila boli

"oh I'm so sorry sir, lekin a aap jis hisab se meri madam se baat jar rahe the wo sahi nahi tha" payal boli

Kyle ka irritation level badh raha tha wo kuch Kehne hi ja raha tha ki usne achanak payal ke haath me nishan dekha aur statue ho gaya

"sir I'm sorry" payal fir boli

"I i think I'm not feeling well, please reschedule the interview" Kyle bola aur cabin se bahar nikal gaya

"sorry madam mera doosra din hai aur maine aate hi.." payal ki awaz ladkhadane lagi

US mahila ne payal ke gaal par thapki di
Bohut masoom hai ye ladki aaj agar...

"m mai is poore mahine me chutti nahi lungi compensate karne ke liye" payal boli
Aur mahila has padi, sachmuch bachchi hai payal

"wo sab chodo chalo aaj luch karo mere Saath" mahila boli aur sar jhukakar Maan gayi payal

Lekin Kyle aise kyun chala gaya?? Kya hua use?? Kaafi Saare sawalo ke saath mahila payal ke saath lunch ke liye nikal gayi

---

Kyle building se nikalkar seedha apne car me baith gaya
Nahi, ye nahi ho sakta.... Ye nishan to...
Lekin.... Kya ye....

Car speed ke saath lete hue Kyle ne phone kiya

"bolo Kyle" abhilash jo Kyle ka bada bhai hai bol utha

Kyle ne ek Saans me sab kuch bol diya

"WHAT???" kursi se uchal kar khada ho gaya

"sach me bhaiyya" Kyle bola

"poora pata kar Kyle" bol abhilash ne apni aankhen band kar di

22 YEARS BACK

"bachhon aise mat karo misha ko lag jayegi" susheela boli

Chota sa abhilash aur kyle lad rahe the aur choti si misha dekh rahi thi dono ko

"ye le fir" abhilash chillaya aur khilona zor se fenk diya jo seedha nanhi si misha ko lagi

"UWAAA" misha rone lagi aur susheela ne sambhalne ki koshish ki misha ko sambhalne ki
Ghaav gehra tha aur ek gehra sa nishan ban gaya tha

"abhi bachchi hai Mr dev, jab badi hogi tav plastic surgery se isko theek kar dunga" doctor bola

Misha chocolate kha rahi thi use in sab se koi matlab nahi tha, lekin abhilash aur Kyle dono apne behen ko dekh rahe the

"pandit ji ne kaha tha ki misha ke shuruati saal kharab rahenge, kya ye sach ho raha hai dev" susheela rote hue boli

"pandit ji ko kyun itna serious leti ho?? Mai sab kuch kar lunga lekin misha ko kuch nahi hone dunga" dev bole

.....

Abhilash ne aankhen kholi,
Misha is ghar ki laadli.... Kya ye ladki....
Agar aisa hua to.... Is ghar ki Saari khushiyan wapas aayengi
Kyle pata kar mere bhai pata kar

Abhilash apni kursi se uth gaya, aaj man hi nahi kar raha hai kaam karne ka
------------------------------------------------------------------
Ranvijay ko aajkal kya hua samajh me nahi a raha tha use

Usne phone nikal kar phone kiya

"hello??" payal hairan thi, Ranvijay vardhan is waqt

"wo.... Aaj raat taiyyar rehna party me Jaana Hai, aur sabko apne wife ke saath aana hai" ranvijay bola

"sach??" ye kya rule hai, payal ko hairaani hui

"aisa hi hai" ranvijay bola

"OK mai taiyyar rahungi" bol payal ne phone rakh diya

"madam ko time mila kaam karne ke liye" ek ladki ki awaz ne payal ko mudne par vivash kar diya

"Mandy editor hoon is media house ki ladki, time pass ho raha tha yahan??" Mandy boli

"nahi mere husband ne call kiya tha" payal boli

"isliye madam ko bola tha aire gaire ko mat recruit kare" mady boli aur ye baat payal ke dil me chubh gayi

"ab aisi roni soorat mat bana aur kaam par lag, kaam ke na kaaj ke..." Mandy bolti hui aage badh gayi
Aur payal chupchaap kaam karne lagi
Apne computer par Sri krishna ki ek wallpaper daal kar aankhen band ki usne

"he murlidhar, is naye safar ke liye aapka aashirvaad chahiye" payal man hi man bol padi[/color]
 

Similar threads

Back
Top