• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

[color=rgb(85,]"WHAT?? ARE YOU OUT OF YOUR MIND??" ranvijay apni seat se uthkar chillaya

"yes or no??" Mrs sarita ki awaz shaant thi ranvijay ke chillana ke bawjood

"YOU...." ranvijay ne ek Nafrat bhari nazar daali apni maa par

"aise dekhne se mera faisla nahi badlega ranvijay" Mrs sarita boli

"I refuse" ranvijay bola

"to thik hai, mai 3 din ke baad shaam ko hi ye factory aur ye poori property Mr shivraj ko sell karungi" Mrs sarita boli

"I'll double whatever he pays" ranvijay bola

"I don't care, ya mera proposal Maan lo ya fir sab kuch shivraj ki aur jaate dekho" boli mrs sarita

"why are you doing this??" ranvijay ne poocha

"meri marzi Mr ranvijay, I'm trying to be a successful as you are" Mrs sarita boli

Ranvijay chup raha kaise hi.... Kaise bhi karke rokna hoga ye deal shivraj aur mrs sarita ke beech

"72 hrs hai tumhare Paas" Mrs sarita boli

"thik hai aapne us ladki ya uske family se baat ki??" ranvijay bola

"ladki ko manao tum, wo tum jaani kaise karna hai"mrs sarita boli

" what the hell, ye kya baat hui?? "ranvijay fir bola

" wo mujhe nahi pata, I'm getting late. Jaana chahiye mujhe "bol Mrs sarita uthkar chali gayi

Ranvijay ko phone kar mrs sarita ne bulaya tha meeting ke liye
Aur meeting me hi ranvijay ko apna faisla suna diya

" sorry beta iske alawa aur koi raasta nahi hai tujhe jaanwar se insan banane ka"khud hi man me sochti hui mrs sarita conference hall se bahar nikal gayi

72 hrs, itne kam Waqt par u
Yahi ladki mi thi Mrs sarita ko?? Damn
Apne Saath hue haadso ke baare me bataya nahi tha ranvijay ne
Darr tha kahi uski izzat ka faluda na nikal jaaye

Mrs sarita ja chuki thi, Waqt bilkul nahi tha
Jo karna tha jald se jald karna tha
----------------------------------------------------------------------
Girish chaturvedi apne garden me baithe hue paper padh rahe the

"sahab aapki bhanji aayi hai" ek naukar ne aakar bola

"koun?? Payal??" girish ne poocha to naukar ne Haan me sar hilaya

"uff wo ladki apni wo manhoos paanv fir is ghar par rakhegi" girish ne apni aankhen band karte hue kaha

"sahab kya kare??" naukar be poocha

"aane do, agli baar kuch bhi karke taal denge" Mr girish bole.

Payal ghar me ghus te hue ek chashma pehne hue ladka wheelchair se muskurate hue uske Paas aaya

"payal did" ladka payal ke Paas aakar bola

"are Baap re mera bhai kitna handsome lag rha hai" payal boli

"kyun jhoot bol rahi ho didi, itna apmana sehne je baad bhi sirf mera dil rakhne je liye a jaati ho aur in janwaro se gaaliyaan sunti ho" ladka bola

"shubham kitni baar bola hai, apne se badi ke baare me aise nahi bolte," payal ne shubham se kaha

Shubham has pada, payal ki aadat Bachpan se jaanta tha
Kuch bhi ho jaaye lekin apne sage sambandhiyon ko kuch nahi kahegi na unke baare me bura subegi

Waise aapko mamaji ne bataya ki sumedha didi ki shaadi ho rahi hai harshit ke saath

Payal chup rahi, harshit ke Naam ne uske seene me chupa Dard bahar a gaya

"ab tum is ghar me kam aaogi to acha hoga payal" ye payal ke maa I ki awaz thi

"maa payal didi ko maine bulaya tha" shubham bola

"to?? Ab tu faisla karega koun is ghar me honi chahiye koun nahi??" Mrs Shrivastav boli

"mai ja rahi hoon maami" payal Jaane je liye mudi

"waise payal teen din baad harshit ke Saath sagai hai sumedha ki, ranjana ko to bol diya socha tujhe bol doon" Mrs Shrivastav boli

Payal sar jhukakar ek baar shubham. Ki aur ek fiki muskaan dekar chali gayi

Shubham ne payal ki aankhon me Dard dekha. Lekin wo isme kuch nahi kar sakta tha
Wo bhi apna wheelchair ke saath apne kamre me chala gaya[/color]
 
[color=rgb(184,]Ranvijay ko yakeen nahi a raha tha ki wo haath me ek flower bouquet liye payal ke ghar ke darwaze ke Saamne khada tha

Damn wo Mrs sarita....

Ungli doorbell tak jaate jaate ruk gayi, kya kahega Ander???
Lekin step to lena ho padega

DING DONG

darwaza khula aur ranvijay ko dekhte hi payal ka paara chad gaya

"tum?? Tumhari himmat kaise hui yahan aane ki??" payal chillakar boli

Ranvijay ka man to kar raha tha ki is ladki ko dhakka maarkar gira de aur...

"koun hai payal??" ye awaz dadi ki thi jo payal ki awaz sunkar aayi thi
Saamne ranvijay ko dekhkar thodi pareshan hui

"ji wo mai.... Ranvijay vardhan hoon, aur.... Mrs ranjana sinha se milne aaya hoon" ranvijay bola

"wtf?? Mummy se kya kaam hai, mujhse baat karo. Dadi ye itna adiyal hai na. Jiske baare me mai bol rahi thi aur..." payal bolti rahi

"chup kar. Kisi ko bolne bhi degi ya khud chabar chabar karti rahegi??" dadi ne daant lagai

"thanks" ranvijay bola aur sochne laga ki kab use ghar ke Ander koi bulayega

"are beta maaf karna Ander a jao, ye ladki ke chakkar me tum poori din yahi rahohe" dadi payal ki aur dekhkar boli

"dadi aap ise Ander kaise bula sakte ho aapko pata nahi ye kitna bada adiyal saand hai" payal boli

Ranvijay ke sabr ka itna bada test kisi ne nahi liya tha. Ye ladki use itna zaleel kar rahi hai jitna wo poori zindagi me nahi hua

"Is bewkoof ladki ki baaton ka bura na maano. Ander aao mai chai laati hoon" dadi boli

"aaiye tashreef rakhiye, aur chai peekar jaldi jaiye" payal boli drama karte hue

Ranvijay kuch na bolte hue Ander aakar baith gaya

Simple sa ghar hai koi zyada saajo saman nahi hai ghar me
Ranvijay sofe ke ek kone me baith gaya

"ab kya hum jaise chote logo se kya problem ho gayi jo aap yahan padhkar aaye sir??" payal ne poocha

"payal zyada bol rahi hai, tu ek kaam kar samose aur mithai lekar a beta"dadi boli

" mithai aur samose?? Wo bhi iske liye?? "payal ka gussa foot pada

" nahi mai kuch nahi lunga, agar mrs ranjana a jaati to unse hi baatein kar leta"ranvijay bola

"wo a jayegi beta, aur payal tu ja na. Khadi kyun hai" dadi ne payal ko bola

Payal gusse se muh banakar Bhaag gayi

"ye aapke liye" flower bouquet dete hue ranvijay bola

"sorry beta uske liye mai maafi mangti hoon, apne papa ke guzar Jaane ke baad is ladki ne bohut kuch saha hai, abhi bhi sehti a rahi hai.shayad isliye aisi hai. Lekin iska. Dil sheeshe ki tarah saaf hai beta. Is bachchi ke dil me koi khot nahi. Shayad isliye bhagwan bhi is bachchi se imtehan par imtehan le raha hai. Pata nahi kab tak lega"dadi ranvijay se baatein karte karte apne aansu rok nahi paayi

Ranvijay ne bhi payal ko dekha tha. Us din jo sadak ke beech hua wo is ladki ne apne liye nahi balki us budhe thelewale ke liye awaz uthai thi
Lekin is khudgarz duniya me apne bajay doosro ke liye koun itna karta hai??

"mujhe pata hai tum yahan kyun aaye ho beta, ranjana ne sab bata diya. Mujhe is shaadi se koi problem nahi hai beta.bas itna chahta hoon ki payal khush rahe" dadi bola

"ahem... Payal ko koi problem nahi hogi dadi ji..." ranvijay kisi tarah bola

"sach Keh rahe ho beta??" dadi khushi se bol padi

"Haan... Dadi ji" ranvijay bola

"lekin beta wo nahi manegi" dadi boli

"aap uski tension na le mai sab thik kar doonga" ranvijay ek garv ke saath bola
Aaj tak usne koi negotiation fail nahi hone di to ise kaise hone deta. Strategy saaf hai

"aap bas payal ko mujhpar chod dijiye aur shaadi ki taiyyari kijiye" ranvijay bola
Usse aur nahi ruka ja raha tha. Wo factory par kai saalo se nazar rakh kar baitha hua tha. Aaj agar is payal se Shaadi karni bhi pade to kya hai

"thik hai beta" dadi boli

"to mai chalta hoon dadi ji, kal shaam ko mai theek 6 baje Gaadi bhej dunga" ranvijay uthkar Jaane laga

"are beta ruko payal mithai aur samose laati hi hogi" dadi boli

"fir kabhi, aaj chalta hoon" bol ranvijay chala gaya wahan se

Payal jab aayi to Ranvijay nahi tha

"dadi kaha gaya wo khadus??" payal ne apne kamar me haath rakhte hue kaha

"payal. Tujhe pata hai ranvijay yahan khun aaya tha??" dadi ne poocha

"kyun??" payal ne poocha

Uske baad jo dadi ne bataya isse payal ke hosh udd gaye
----------------------------------------------------------------------
Aaj sagai thi sumedha ki harshit se
Aur koi kasar Baaki nahi reh gayi thi sagai ko ek Behtareen banane me

"wow look koun aaya hai?? Payal.sinha,sorry didi mai aapke boyfriend se Shaadi karne ja rahi hoon aapko bura to nahi laga" sumedha ne poocha

"nahi sumedha, tum mere use kiye hue saman ko apna rahi ho isme bura lagne ki kya baat hai" payal boli

"you...." gussa foot pada sumedha ka

"well. Tum dono ko congratulate karne aayi hoon" payal boli

"arey ye koun hai sumedha" sumedha ki ek saheli ne usse poocha

"wahi beri behen jo 400 wali salwar kameez pehen kar party me aati hai" sumedha ke bolte hi sab has pade

Door shubham sab dekh raha tha wheelchair me baitha hua, use pata tha didi ki bezzati hogi
Mana bhi kiya tha aane ke liye lekin fir bhi payal aayi thi

Payal ne harshit ki aur dekha
Use koi fark nahi pad raha tha, kam se kam sorry to bol sakta tha payal ko dhoka dene ke liye
Lekin usne aisa nahi kiya[/color]
 
[color=rgb(85,]Payal par sabhi kataksh kar rahe the
Sab ke sab. Sirf shubham hi tha jo payal ko aise nahi dekh sakta tha

"didi please aap yahan se chale jaiyye aur kitni zillat sehni padegi aapko??" shubham apna wheelchair aage lata hua bola

"nahi shubham aaj mai bhi dekhna chahti hoon mere bhagya me aur kina sehna likha hai" payal ne shubham ke gaal par ek thaki dekar bola aur engagement ceremony ki aur badh gayi

"lekin..." shubham sirf bolta reh gaya

"are tune aise logo ko kyun invite kiya hai sumedha?? Dekh kaise kapde pehen kar aaye hai" ek saheli boli

"koi baat nahi yaar hamare rishtedaro me se ek hai unfortunately, kya kare. Upar se maine iske bf ko apna bana liya hai.isliye socha invite karke khila doon" sumedha ke bolte hi sab hasne lage

Mummy thik Keh rahi thi nahi Jaane ke liye is engagement me lekin apne aap ko rok na paai payal.kya ye sab sunne aayi thi???

"ruko abhi Mr ranvijay ko aana hai, unke aane ke baad hi engagement ki rasm poori hogi" Mr girish bole

Ranvijay yani wo ranvijay??? Nahi nahi ab yahan aur rehna thik nahi
Payal wahan se nikal hi rahi thi ki e
Koi 5 - 6 logon ke saath ranvijay aata dikhai diya

"wow kitna handsome hai yaar"

"uff bachelor hua to yahi propose karne wali hoon ise"

"kamal ki personality hai yaar"

Ladkiyon ki dil ki dhadkano ko nazar andaz kar gayi komal. Pata nahi kisi ko kitna bada akdu hai, ghamandi hai, Kameena hai...

"ms payal aapse baat karni thi" ranvijay payal ke Saamne a chuka tha aur use hosh tak nahi aaya

"k kya baat hai??" payal ne poocha

"apko aapki maa aur dadi ne shayad bata diya hoga" ranvijay bola

"kisi ki gareeb ko ki lachari kharidne ka shauk hai kya aapka??" payal ne ranvijay ke aankhon me aankhen daalkar kaha

"payal kya badtameezi hai ye, mehman se aise baatein karte hai?? Ranvijay sahab hamare bohut request karne par aaye hai" Mr girish bole

"shh aap. Chup rahiye Mr girish, Ms payal chaliye wahan chalkar baat karte hai" ranvijay bola

Wo table Khaas harshit aur sumedha ke liye sajai gayi thi. Wahan par.....

"mere Paas zyada time nahi hai" ranvijay bola aur payal ke saath wahan baith gaya

Sumedha ye sab dekhkar gusse se aag baboola hone lagi

"Paul?? Get me a glass of best French wine from the car. In logo ke Paas ghatiya wines hi milegi" ranvijay ke insult ko Mr girish bewkoofo ki tarah muskura kar hajam kar gaye

"no thanks mai sharab nahi peeti, decency Bachpan se sikhai gayi hai mujhe" payal boli

"fine mudde par aate hai, are you ok with it??" ranvijay ne poocha

"kya isse hamare Saare loans......" payal boli

"sab maaf" ranvijay bola

"fine, lekin meri kuch shart hai" payal boli

"shoot" ranvijay bola

"1 mujhse zabardasti physical nahi honge aap 2 meri family se hamesha decency se pesh aayenge 3 mujhe kabhi kisi cheez ke liye force nahi karenge" payal ne apni shart rakhi

"fine, as long as you don't meddle with my work I'm OK with whatever" ranvijay bola

"to thik hai aaj mai chalti hoon" payal boli

"chalti hoon?? Aaj hamari engagement hogi" ranvijay bola

"en en engagement?? Mummy dadi unke bina?? Nahi nahi" payal boli

"fir aap bhool jaiye shaadi ko ms payal" ranvijay uth khada hua

Payal sochne lagi ki kya karna chahiye

"aapke family se baat kar li thi maine, ye sirf ek announcement hogi. Baaki baad me bada reception diya jayega" ranvijay bola

Payal ne apni mummy ko phone kiya. Ranvijay dekhta raha. Use pata tha kya hone wala hai aage

"Mr girish mujhe apki beti ka engagement stage chahiye, hum engage ho rahe hai" ranvijay bola

"WHAT????? SIR AAP AAP OS... ISSE.
.. YE TO...." Mr girish ko yakeen nahi ho raha tha

"aapko problem hai isse??" Paul Naam Ka bodyguard Saamne a gaya

"leave it, chaliye ms payal" ranvijay ke bolte hi payal darte darte stage par pohuch gayi

"chalo hato yahan se Mr ranvijay ka engagement hoga abhi" Paul bola

Sab hatne lage, aur jagah banti gayi

"rings kahan hai Chris??" ranvijay ne poocha aur chris Naam Ka aadmi apne pocket se do rings nikal kar Saamne rakh diya

"y ye to costly hai m Mr ranvijay... Mai...." payal ghabra gayi sab kuch itna fast ho raha tha ki wo kuch samajh nahi pa rahi thi. Aur mummy dadi ne kaise Haan bol diya is engagement ko??

Rings adla badli ho gaye aur ho gaya engagement ranvijay aur payal ho hayi

Ashwin, Paul aur Chris jee Jaan se taaliyan baja rahe the
Baaki ke ranvijay ke staff bhi taaliyan bajane lage

Harshit hairan reh gaya uski nazar ek baar payal ke saath mili to payal ne nazrein jhuka li

Payal kisi aur se engagement??? Ye sab.....
Harshit aur wahan ruka nahi aur chala gaya

"harshit ruko harshit" sumedha harshit ke peeche daudi
Thoda ruki aur payal ki aur palti

"payal sinha.... Mai tumhe kabhi maaf nahi karungi iske liye" roansa hokar sumedha boli

Payal dekhti rahi. Poora engagement party barbaad ho gaya tha
Usne aisa to nahi chaha tha, kisi ka bura kabhi nahi chaha tha payal je fir ye sab kyun???

Ek aur shaks khush tha aaj, wheelchair me baitha hua shubham[/color]
 
[color=rgb(85,]"chalein?? Hamare Paas poora din nahi hai" ranvijay ne payal se kaha

Payal abhi bhi shock me thi.itna sabkuch ek Saath Ho Gaya???

"ruko payal" harshit daudkar payal ke Paas aaya

Payal ki aankhen jhuki hui thi. Sar jhuka hua tha
Ek tarike se ye engagement usi ki wajah se aaj nahi ho paayi thi sumedha aur harshit ke beech

"madam ke Saamne se hato" Paul ne dhakka diya to harshit ladkhadakar gir gaya

6.9 ka height tha Paul ka. Body bhi waise hi thi
Harshit ko gusse se dekhte hue ranvijay aur payal ke Saamne khada ho gaya

"I think we are quite late ab chalein ya aur nautanki karni hai" ranvijay ne payal se poocha

Payal ne Haan me sar hilaya aur ranvijay ke saath Gaadi me baith gayi
Kabhi aaj tak ambassador me na baithne wali payal aaj BMW me baithi hui thi. A. C poora on tha
Lekin fir bhi payal ke dil me aag lagi hui thi
Gaadi apni raftaar ke saath chal padi
Payal ko pata nahi tha ki Gaadi kahan ja rahi hai, kyun ja rahi hai aur wo kyun is ranvijay par vishwas kar rahi hai lekin phone par maa aur dadi ne jo bola usse yahi lagta hai ki paraya karne me wo log bohut jaldi me hai
Harshit ke saath ghar basane ka sapna toota
Aur ab is aise insan se ghar basane ja rahi hai jisse jitni baar mulakat hui Nafrat ke saath hui

Tabhi payal ne achanak bol padi
"Gaadi roko"

"kya ho gaya" ranvijay bola

"maine kaha Gaadi roko" payal fir bol padi

"kyun??" ranvijay ne poocha

"maine aapse poocha aap mujhse shaadi kyun karna chahte hai Mr ranvijay" payal ne palat kar sawal kiya to Ranvijay halka sa bechain ho utha

"thik hai thik hai, driver Gaadi roko" ranvijay ke bolte hi driver ne Gaadi rok di

"Saamne mandir hai, aap chalenge" payal boli

"mai in bakwas jagah me kabhi nahi Jaata" ranvijay bola

Payal ne baat aage badhai nahi chal padi mandir ki aur
Aur jaate hi bhagwan ke Saamne haath jod kar aankhen band khadi ho gayi

"payal beta??kaisi ho??" pujari ne aarti ki thali ko payal ki aur badhakar bole

Payal ne sar aage kiya aur pujari ne uske maa the par tilak lagaya

"inhone kab mujhe acha rakha hai pujari kaka??" aankhen dabdaba gayi payal ki bolte hue.

"wo apne bando ke liye hamesha sochta hai" pujari muskurate hue bole

"kaash aap sahi hote pujari kaka, kash aap sahi hote" payal ke liye ab rukna mushkil tha

"us par yakeen rakh beta, wo kabhi galat nahi karta un par jo uske chahete hai" pujari fir bola

Payal ne apni aankhen pochi aur fir Gaadi ki aur chali gayi

"itni time lag gayi??" ranvijay ne poocha

Payal ne jawab me Nafrat bhari nigahen daali ranvijay par to Ranvijay ne apna chehra ghuma diya

Gaadi fir chal padi

"driver lucknow kitni door hai??" ranvijay ne poocha

"bas sir kareeb aadha ghanta lagega" driver bola

Lucknow?? K kyun??? He bhagwan ye aadmi kahin uske Saath kuch galat to nahi karega na??
Payal ne apne bag me jhanka, pepper spray rakha hua tha. Agar kuch galat karne ki sochi to wo taiyyar hai

"agar wo sab soch rahi ho to sochna band karo, I'm least bothered about those cheap things" ranvijay apne tablet me kaam karte hua bole

Payal sakpaka gayi

"Saab lucknow a gaya, ab??" driver ne poocha

"saharaganj mall le chalo" ranvijay bola

"meri Marzi ke bina mujhse engagement ki, shadi karne wale ho, ab yahan aise is mall me lekar aaye, kyun?? Kyun damn it??" payal ka sabr ab toot raha tha
Ab aur nahi

"engagement aise kapdon me hui thik hai, Shaadi ke liye shopping karwane laya hoon" ranvijay bola

"ye... Yahan itna megenga.... N nahi kahin aur se karni hai..... Anandpur me ek bohut achi dukan hai waha se...." payal bol rahi thi

"dekho mere patience ka imtehan mat lo" ranvijay bola aur Gaadi se utar kar aage badh gaya

"sahab dil ke bure nahi hai madam ji, bas thode se khadus hai bas" driver haste hue bola

Payal ranvijay ke saath shopping karne ke liye stores ghoome lagi

"12000....16000.... Y y y y ye to ye to..... 25000"payal ki aankhen badi ho gayi

He bhagwan ye insan shopping karwane laya hai ya bhikari banane laya hai, nahi nahi itne paise ki shopping nahi karne wali payal

" ye to b bohut mehengi hai"payal boli

" to??"ranvijay bola

" kahin aur chalte hai plz"payal boli

"hame ab jewellery ke liye bhi Jaana Hai time nahi hai mere Paas" ranvijay bola

"nahi mai itni mehengi nahi le sakti sorry" payal boli

"manager pack this.... This... This... Actually.... Send me the best of these collections, my secretary will pay for this" bol ranvijay shop se nikal gaya

Manager ki to lottery nikal gayi. Mehengi se mehengi dress pack karne laga

"are excuse me aap aise costly dresses pack nahi kar sakte ho..... Aap kuch boliye na" payal ne ranvijay ka haath pakadkar kaha to Ranvijay aur payal dono kuch der chup rahe

Ranvijay ke staff aur bodyguards khush ho rahe the. Ashwin aur Paul ne pehli baar ek aise shaks ko dekha tha jisne ranvijay ka haath pakda tha

Ranvijay aur payal pehli baar aisi situation me fanse the

"I its ok unhe pack karne do chalo hum jewellery shop me ho aate hai"ranvijay bola

Payal ne door ek jewellery shop dekha Bachpan me ek baar maa ke saath aayi thi. U
wo dukaan bohut bada tha aur use wo dekh kar khush hui thi

Payal ke pair us dukan ki aur badh gaye aur dukan par pohunchkar wo ek ear ring ki aur dekhti rahi

"excuse me 30,000 ka hai" salesman bola to payal ne salesman ki aur dekh kar muskura diya
Bohut zyada hai

"koi set hai aap logo ke Paas 70,000-80,000 ka" payal ne poocha

"nahi hum kachra nahi rakhte" salesman ne rukhe swar me bola

Payal jhep gayi

"are ye to kitna khoobsurat hai" ek ladki boli to salesman us ladki ki aur lapka aur isi dauran usne payal ko dhakka de diya

Payal dhakka sambhal nahi paayi aur girne hi wali thi kisi mazboot baahon ne use thaam liya

"mai bas do minute tumhe chor kar gaya aur tum is chote se dukan me a gayi" ranvijay bola

"ek ear ring nahi le pa rahi ladki ke bf ko itna ghamand shobha nahi deta" wahi ladki boli jo ear ring lene wali thi thi
Sunte hi sab hasne lage

"a gayi shamat ab" ashwin ne aasman ki aur dekhkar pranam kiya

"what did you say??" ranvijay ne ladki ki aur dekhkar bola

"wahi jo tumne suna" ladki boli

"Paul??" ranvijay ne awaz lagai

Paul daudkar aaya

"get the details of the owner of this shop and call him" ranvijay bola

Payal ko samajh me nahi a raha tha kya Keh raha hai ye insan
Aur Paul kitna shatir hai ye janne ke liye bas 5 minute lage payal ko. Kyunki thik Paanch minute baad paul phone lekar ranvijay ke Paas pohuncha

"Mr keertilal I want to buy your shop" ranvijay ne apni aankhen tamasha dekhne walo ki aur dekhkar kaha

"jitna aapki dukan ki keemat hai I'll give you double, soch lijiye. Warna ranvijay vardhan se panga le lenge aap indirectly...... Good I was expecting the answer I was looking for" ranvijay ne phone Kaat diya

Tabhi wahan ke manager ko call aaya aur usne phone paar baat suni aur fir Saare customers se bola
"please aap log chale jaiye aaj ki shopping sirf hamare naye maalik karenge" bol manager ne ranvijay je Saamne apna sar jhuka liya
Aur uske isharon par Baaki staffs ne bhi wahi kiya

"Paul is ladki ko dukan se bahar nikalo abhi" ranvijay ke bolte hi Paul aur Baaki ke kuch bodyguards ne us ladki bahar nikal diya

"mai tumhe dekh loongi" gusse se payal ki aur dekhkar ladki boli aur pair patakte hue chali gayi

"jo tumhe pasand ho chun lo" bol apne p
trouser ke pocket me haath rakhkar shoop ke bahar nikal gaya ranvijay

Payal ranvijay ke Paas aayi aur boli
"mr ranvijay, pasio ke dum par sab kuch kharidna ch[/color][color=rgb(85,]ahte ho tum??"[/color]

[color=rgb(85,]"Haan" ranvijay ne jawab diya

"tumhe kya lagta hai, paise se sabkuch khareeda ja sakta hai??" payal je fir poocha

"Haan" bol ranvijay aage nikal gaya[/color]
 
[color=rgb(85,]"bhook lagi hai??" ranvijay ko pata tha ki payal ne lunch nahi kiya hoga
Is engagement ke aanan fanan me lunch to kya, ek glass Paani tak nahi piya tha payal ne
Ranvijay ne to breakfast aur lunch dono skip kiya tha

"bhook nahi hai" payal boli.itna sab kuch ho gaya usme kya khana ab

"lekin kuch to khana padega hi, driver koi aas Paas star hotel me Gaadi ghumao" ranvijay bola

"sir hum lucknow se kareeb 50 km door hai, fir wapas Jaana fir aana matlab 2-3 ghante aur pakad lijiye kyunki traffic jam ab dabakar hoga"driver bola

Itna time nahi tha ranvijay ke Paas waise bhi is engagement me uska poora din barbaad ho chuka tha

" fir koi restaurant me ghumao" ranvijay bola

"sir highway me kaha apko restaurant milega, dhaba hi milega" driver bola

"dhaba...... Lekin....." ranvijay thoda ruka aur payal ki aur dekhne laga

"dhaba hi le chaliye, waise bhi aapke staff ne kuch nahi khaya Mr ranvijay" payal boli

"OK dhaba ki aur le chalo" ranvijay bola aur Gaadi ek dhaba ke Saamne ruki aur kuch staff dhaba ke Ander gaye

"car me mini fridge bhi hai, agar softdrink ya chocolates chahiye to le sakti ho" ranvijay bola

"no thanks" payal boli aur car se bahar nikal kar dhabe ki aur gayi
Khana kha rahe staff payal ko dekh khana chod khade ho gaye

"are are aap log khade kyun ho gaye. Baith jaiye" payal muskurakar boli
Ranvijay jaisa bhi hai in staff ki koi galti nahi hai ye sirf ranvijay ki galti hai

"chacha ek plate parathe mere liye lagwa dijiye" payal boli

"madam ye aap logo ke khane ki jagah nahi hai yahan" ashwin hairan hokar bola

"khana khane ki koi jagah hoti hai ashwin bhaiyya??" bol payal ne aage badh kar parathe wali thali le liya aur khane lagi

Mr ranvijay ki wife uske staff ke saath aise jagah par kha rahi thi
Staff chupchap khane lage

"wow khana bohut tasty tha, hai na ashwin bhaiyya" payal boli

"j ji madam" ashwin bola

"to chalein aapka khadus boss wait kar raha hai" payal boli

Saath hi saath payal wapas a gayi

"itna time khana khane me lag gaya??" ranvijay ne poocha

"time dekhkar khana khaya nahi Jaata Mr ranvijay enjoy karke khaya Jaata Hai" payal boli
Aur ranvijay gusse se wapas apni jagah baith gaya
Gaadi wapas anandpur ki aur chalne lagi

"a aap hotel jakar k khana kha lijiye, aapne kuch nahi khaya" payal khidki se nazare dekhte hue boli

Ranvijay hairan hokar payal ki aur dekhne laga. Payal utarkar apne ghar chali gayi aur ranvijay ki Gaadi aage badh gayi

"sir" ashwin bola

"bolo" ranvijay apni aankhen band kar bola

"ab aap apni nayi zindagi shuru karne wale hai, kya ab aapko is badle ki aag se nikalna thik nahi lagta??" ashwin bola

Ranvijay ne kuch nahi bola. Bas sochne laga
Aur uska chehra sakht hota gaya aur sharir gusse se kaampne laga

"sir please dawai le lijiye please" bol ashwin ne dawai aur Paani ranvijay ki aur badhaya
Ranvijay ne dawai li aur shant hokar so gaya

"he bhagwan aur kitni pariksha lega is insan ki" ashwin ranvijay ke sote hue chehre ko dekhkar bola
Gaadi apni speed ke saath hotel pohunch rahi thi
----------------------------------------------------------------------
Ashmita aaj late ho gayi ghar pohunchne me
Har din apne bete ke sawalo ka jawab dete nahi banta tha
Kahan se layegi uske papa ko??? Jo Insaan uski kokh bhar gaya aur use chorkar chala gaya use to thik se pehchanti bhi nahi

"maa pata hai sushil aur kaveri ke papa unko ghumane le gaye" rishi bol pada

"to thik hai beta hum bhi jayenge Saath me sarita dadi ko bhi le lenge, kya Kehte ho??" ashmita apne bete se boli

Rishi ko ye sunkar zyada khushi nahi hui shayad, bas wahi feeki si muskurahat ke saath sofe par baith gaya

"kya hua beta" ashmita be apne bete ke sar par haath ferkar bola

"kuch nahi maa, sone ja raha hoon" rishi bol apne bed ki aur chala haya

Ashmita use rokna chahti thi, lekin rok nahi paayi
Kuch to use rok raha tha, khud ko achanak guilty feel karne lagi wo
Lekin isme uski kya galti?? Kya dosh???
Har din wo bas yahi chahti hai ki sab kuch thik ho lekin kahi na kahi rishi ghuma firakar papa ki zid par ada rehta hai. Kya kare wo??

Apne khayalon me itni khoi hui thi ki use pata hi nahi chala ki uska mobile baj raha tha
Usne screen dekha, India ka number to tha nahi
Koun phone karega use???

"hello??" ashmita ne thoda sankoch karte hue phone uthaya

"hello ashmita ji kaisi hai??" ek Awaaz doosri aur se sunai di use

"sorry lekin mai aapko..."

"pehchanti nahi hai, hai na?? Mai shivraj. Ek chota sa business man hoon madam. Lekin aapke liye bade kaam ka banda ban sakta hoon" shivraj bola

"matlab??" ashmita ne poocha

"50 crore poora white money, account me ho sakta hai. Aapko USA ka green card mil sakta hai. Bachhe ko acha education mil sakta hai" shivraj bola

"itni Meherbani kyun sir??" ashmita

"Meherbani isliye kyunki aap hame wo factory mrs sarita se dilwane me madad karengi, board members aapke bina koi decision lenge nahi aur aap... He he he" shivraj hasne laga

"sorry Mr shivraj factory ka future already decide ho gaya hai,please ainda phone mat kijiye" Ashmita boli

"abhi time hai madam, soch kar phone kar dijiyega ya sms, rakhta hoon" call cut gaya

50 crore?? Ashmita ne ekbar apne bete ki aur dekha jo doosre kamre me tha
Itne paise se uska future ban sakta hai, usko papa ki zaroorat hi nahi padegi
Ashmita ne shayad kuch thaan liya tha.[/color]
 
[color=rgb(85,]"roma tu bhi chal, dekh seth kirtilaal ke Paas bohut paisa hai. Tujhe koi na koi paise wale ke saath rakh denge" kavya boli

"nahi kavya mai ye dhanda majboori ke liye karti hoon, tujhe to pata hai ki aajkal ek aam ladki ko koi sahara nahi deta sirf uski jism ko paane ke liye sab Saath dete hai" roma haste hue boli apni saheli ke kandhe par haath rakhte hue

"sorry roma is room ka bojh nahi utha paungi, tu ek kaam kar na. Mere kisi contact se mil le. Aaj tak ka time to hai" kavya boli

Roma kuch nahi boli.

"OK roma, touch me rehna bye" bol kavya apna suitcase lekar chali gayi

Roma kya kare ab. Achanak use call aaya ek number se

"Haan bol, kaun hai??" roma ne poocha

"hi, mai jai. Yaad hai wahi jisse aap takrayi thi airport me aur fir market me" jai ne yaad dilaya

"oh Haan yaad aaya, phone kyun kiya" roma jald taalna chahti thi is aadmi ko

"ji wo...... Aapne kaha tha na ki aapko bhi room chahiye, mujhe ek room mila hai. Aur roommate chahiye. Agar aapke Paas koi aadmi hai to bataiye" jai bola

"mujhe room chahiye, bol aaun??" roma boli
Ache se pata hai aise ladko ke baare me roma ko
Ye sab hawas ke bhookhe bhediye hai

"Haan..... Lekin...... Haan ho jayega, ek room aur hall room hai. Hall room me mai adjust kar lunga aap room le lijiye. Room ka rent 10,000 hai. Aapko chalega?? 50-50??"jai ne poocha

" mere budget se thoda zyada hai"roma boli

"sorry lekin abhi mai sirf itna hi kar sakta hoon aapke liye" jai bola

"OK mai kal a sakti hoon room me??" roma ko jald se jald room chahiye tha

"OK kal milte hai apna id proof bhi lete ayega plz" jai bola aur phone rakh diya

Ye jai bharose ke kaabil hai bhi?? Aage pata chal hi jayega aur tab tak doosra Rehne ka bandobast kar liya jayega
----------------------------------------------------------------------
"maa itni Saari cheezein nahi chahiye hame, wapas kar dijiye" payal boli

"beta karne gaye the, lekin sarita ji ne lene se mana kar diya, kaha ye Sab shagun ke liye hai" ranjana boli

"lekin maa isse yahi pata chalta hai na ki aap meri shaadi ek ameer gharane se karwa rahe ho" payal boli

"tu kya chahti hai beta" ranjana be poocha

"ye taam jhaam nahi chahiye mummy, please mai is shaadi ko ek simple tarike se karna chahti hoon" payal boli

"lekin beti kya is maa ki koi abhilasha nahi hai?? Kya mai nahi chahti ki meri beti ki shaadi dhoom dhaan se ho??" ranjana boli

"maa please mai ye shaadi sirf karz utarne ke liye kar rahi hoon kyunki agar karz maaf nahi hua to ghar chala jayega, mujhe kya pata tha papa itne Saare karz chor kar jayenge" payal boli

Ranjita apne beti ko kya bataye, kaise bataye ki sab kiya dhara uske mama ka hai
Aaj jo aiso aaram me wo log hai wo Sirf payal ke papa ke kaaran

"thik hai mummy mai ye sirf ek shart par lungi, shaadi Ekdum simple tarike se hogi" payal boli

"thik hai baba teri marzi" ranjana boli aur muskurakar kitchen me chali gayi

Tabhi darwaze par ek knock hua

"koun hai" payal daud kar aayi aur darwaza kholte hi chaunk padi

"tum?????????" payal ko yakeen nahi a raha tha kise dekh rahi thi wo

Saamne harshit khada tha

"ye sab kya hai payal?? Kyun kyun kyun???" Harshit ne payal ka haath pakad kar bola

Payal harshit ko dekhkar itna dang reh gayi ki usse kuch bola nahi ja raha tha

"payal ka haath chod do harshit wo ab vardhan parivar ki bahu banne ja rahi hai" ye awaz dadi ki thi

"dadi aap bhi?? Aap paiso ke chakachaund me itni andhi ho gayi ki ranvijay jaise ladke ko apni poti de rahi hai aap??" harshit bola

"harshit agar ranvijay payal se Shaadi nahi karta to tum kya usse shaadi karte??" palat kar sawal kiya dadi ne

Harshit statue bankar khada raha iska koi jawab nahi tha uske paas

"bolo harshit" dadi boli

"dadi ji payal ki shaadi karwane ki itni bhi kya jaldi hai!?" Harshit je fir poocha

"jaldi to tumhare shaadi ko nahi hai fir kyun kar rahe ho harshit??" dadi fir boli

Harshit ke Paas koi jawab nahi tha uska bhi

"har insan apna bhala bura samajhta hai harshit, payal aur uski family uske baare me soch samajh kar hi ye decision par a pohunchi hai. Khair ab tum jakar apne shaadi ki taiyyari karte raho harshit, hum yahan payal ke shadi ki taiyyari karenge" dadi ke bolte hi harshit gusse se bina kuch aur bole tum wahan se chala gaya[/color]
 
[color=rgb(85,]"hmmf hmmf" payal continously jog kar rahi thi
Morning me ye halki fulki exercise use healthy rakhti hai. Warna Saara din 24 ghante bhi kam pad jaate hai

Apne sipper se Paani Peete hue sochne lagi ki ab bas kar dena chahiye. Tabhi use ranvijay dikh gaya
Yahan????
Ye kab se subah uthkar daud Bhaag karne lag gaya bhai???

Ranvijay ne ek nazar payal ki aur diya lekin koi reaction diye bina apne exercise par dhan dene lag gaya
Park aaj kaafi full tha. Poori daud Bhaag karne wali janta subah ko bachakar rakhti hai in sab ke liye.

Ranvijay chala a raha tha payal ki aur, payal ki aankhen sikud gayi
Kyun??? Ab iske dimag me kya hai???

"ms payal, good morning" ranvijay payal ki aur aate hue bola

"milk shake??" apna sipper Payal ki aur badhata hua bola ranvijay

"no thanks" payal boli

"kabhi kabar hi subah uthkar milk shake peene ka maza aata hai miss payal. Peekar to dekhiye, banana shake hai" ranvijay bola

Payal ne dekha kuch log dekh rahe the dono ko. Scene nahi create karna chahti thi wo isliye le liya usne wo shake. Ek sip liya usne to bohut tasty laga use

"kuch kaam tha kya??" payal ne poocha
Bina kaam ke ranvijay Saans bhi nahi leta hai pata tha use

"ms payal south Africa me hamne ek diamond mine khareeda hai kuch mahine pehle" ranvijay bola

"aapka paisa aap jano. Mujhe kyun bata rahe hai aap??" payal boli
Damn ye ladki. Lekin gusse se kaam nahi chalega

"ms payal lucknow me hi ek bade se diamond merchant ne hame ek deal ke liye bulaya hai, waise to usne kai logo ko bulaya hai. Lekin mujhe wo deal chahiye" ranvijay bola

"mere future wale patidev usme mai kya kar sakti hoon??" payal ne poocha

"aap ko mere Saath lucknow Jaana hoga kal. Since aaj shaadi ki registry hai isliye kal Jaana sahi rahega" ranvijay bola

"jana hoga ka kya matlab?? Aise hi order karte hai sab par matlab mujh par bhi order karenge aap??" payal ne poocha

"please kya aap mere Saath chalengi???" ranvijay ne poocha

"soch kar bataungi, khair chaliye ek ek cup chai peekar chalte hai" bol payal ne apna bag uthaya aur chalne lagi. Ranvijay wahi khada raha

"kya hua sir?? Nahi chalna??" payal ne poocha

Ye itni unhygienic dukan hai yahan par chai peena...... Lekin......

"aap a rahe hai??" payal ne poocha

Payal ko kaise bhi lekar jana hoga ranvijay ko bina couple ke agarwal ghaas bhi nahi dalega kisi ko bhi
Chahe wo Bill gates ho ya mark zukherberg
Use koi fark nahi padta

Ranvijay aage badh gaya us purane gande se chai ke dukan par

"uncle do chai aur do biscuit" payal ne order diya aur Paas ke ek bench par baith gayi

"kya hua baithne ke liye bhi aapko invitation chahiye!?" payal ne poocha

Ye ladki seedhi muh baat nahi karti kya??
Ranvijay payal ke Bagal me us bench ko apne hanky se jhaadne laga

"are yaar baitho to sahi, itna kya khitir pitir laga rehta hai" bol payal ne ranvijay ka haath pakad kar baitha diya

"beta, behenji se raaste me baat hui thi, ye hai hai na wo sahab??" chai wale ne muskurakar poocha

Payal ki nazren apne aap neechi ho gayi, lekin kyun?? Kyun sharma rahi thi payal?? Ye shaadi to ek contract je hisab se tha na?? Fir kyun is kameene insan ke liye itna sharma rahi thi

" ab chai ho gayi ho to chalein??" ranvijay bola aur payal chal di uske saath
----------------------------------------------------------------------
Girish chaturvedi Chupchap baithe hue the
Ek to unhone socha nahi tha ki sumedha ki. Mangni me ye manhoos ladki payal ke saath ranvijay ki shaadi ka elaan ho jayega aur doosri baat ye ki ab shayad payal is parivaar se badla lena chahe

"kya baat hai ji kyun udaas ho??" Mrs chaturvedi ne Mr girish ke kandhe par apna haath rakhte hue bola

"kuch nahi bhagwan mai bas soch raha tha ki kaise bhi karke sumedha ki shaadi ho jaaye bas" girish bola

"thik kaha aapne agar us ranvijay ne wahan aakar payal se mangni nahi ki hoti to aaj hum Charche me hote" Mrs chaturvedi boli

"kya bak rahi ho bhagwan Mr ranvijay koun hai tumhe pata bhi hai, vardhan group uske haath me hai aur vardhan group ka power kya hai tumhe andaza bhi nahi. Hum logo ko bazar me Dus baar bech kar kharid sakta hai wo aadmi" girish bola

"fir aapne pehle kyun nahi us ranvijay se hamari sumedha ke rishte ki baat ki, mana hum unse status me kam Hai lekin un bhikari ranjana ke family se to laakh guna behtar hai" Mrs chaturvedi boli

"wahi karna tha lekin tumhari bewkoof beti ko to wo bewkoof harshit pasand tha. Payal ne kya chaal chali.kaise fasa diya us ranvijay ko aur harshit ko sumedha ke hisse me daal diya" girish bola

"oh my god. Ye to maine socha bhi nahi tha. Isliye kahoon harshit se sumedha ki mangni hone ke bawjood itni shaant kyun hai" Mrs chaturvedi boli

"mai to mall dikhane ke bahane Mr ranvijay ko apne haath me karke ghar aaya hi tha. Lekin baad me pata chala tumhari laadli ne us bhikari harshit se Shaadi karne ka man bana liya hai" girish bola

"mujhe malum tha ki ye family itni seedhi nahi jitni dikhti hai, ab to poora shahar unhe respect de raha hoga" Mrs chaturvedi fir boli

"aur nahi to kya suna hai waha ka local mla aur koi minister ne ranjana ke poori family ko dinner par bulaya hai" girish bola

Mrs chaturvedi ne apne sar par haath rakh diya
Is bewkoof ladki sumedha ke chakkar me aaj payal indirectly raaj karegi

"hi mom hi dad" Sumedha Harshit ke saath aayi thi kamre me

"kya hua uncle sab chup kyun hai" harshit bola

"mubarak ho beta tumhari dost payal ko to ab minister aur neta bulane lage hai khane par" Mrs chaturvedi ne harshit ki aur dekhte hue bola

"matlab??" harshit ne poocha

"matlab?? Is matlab ka answer khud dhoond lo beta, acha rahega" girish bola aur kamre se bahar nikal haya

"kya hua. Mummy??" sumedha ne poocha

"beta payal ne jis tarah is engagement ceremony me hamari bezzati ki. Tere papa use bhula nahi pa rahe hai, bas isliye thode roothe roothe se rehte hai" Mrs chaturvedi boli

"aap log zyada tension mat lijiye aunty aise logo se kya expect karna jo aisi ghatiya harkat karte hai" harshit bola

"tension nahi leti harshit agar ranvijay hamare jamai ke roop me khada hota, tension lena pad raha hai kyunki ranvijay sumedha ka nahi payal ka hone wala pati hai" bola mrs chaturvedi bhi kamre se bahar nikal gayi

Sann reh gaya harshit apne pair par khade hone ki taqat nahi thi usme, itna apmaan?? Itni zillat???
Aaj tak payal aur uske parivar walo ne hamesha use apne sar par bitaye rakha tha.
AUR isi ki aadat thi use

"maa tum aise harshit ka insult nahi kar sakti.... maa..... Maaa" sumedha apni maa se ladne chali gayi harshit ko chhodkar jiska chehra ab Nafrat se bhar gaya tha

"payal sinha, sab teri wajah se hua. Tu dekh ab. Tu ab dekh" apna chehra sakht kar harshit bola[/color]
 
[color=rgb(85,]"kya hua sarita aunty nahi aayegi??" payal ne poocha

"wo jitna kam aaye utna acha hai" ranvijay bola

"are aap aunty ke baare me aise kaise bol sakte ho" payal boli

"bol sakta hoon kyunki wo aisi hi aurat hai" ranvijay bola

"hadh hai" payal ne ghoorkar ranvijay ki aur dekha

"chalo jaldi jaldi ye shaadi ka registration khatam karte hai" ranvijay bola

"are hamari baari aane to do dekho log kitna wait kar rahe hai" payal boli

"mere Paas wait karne ka time nahi hai, ashwin paise nahi diye the kya??" ranvijay is baar ashwin ki aur mudkar bola

"Haan sir a abhi dekhta hoon" bol ashwin bhaga office ki aur aur ranvijay impatient hokar ghadi dekhne laga

Payal ne ranvijay ki aur dekha aur apne sar par haath de maara
Yahi mila tha bhagwan ko poori duniya me uske palle bandhne ke liye

"sir ho gaya chaliye" ashwin bola
To Ranvijay aur payal aage badh gaye

Tabhi use kuch awazein sunai di jo Bagal se a rahi thi

"registry ke liye paise nahi hai madam, kuch nahi ho sakta kya??" ek budha ek lawyer se baat kar raha tha

"sorry uncle mai kuch nahi kar sakti fees to deni hi hogi aapko, mai apna charge nahi le rahi hoon iske aage mai kuch nahi kar sakti" bol wo lady lawyer aage badh gayi

"ek minute aapke Paas kuch paise hai kya, maine atm se with draw nahi Kiya hai" payal boli

"abhi is time me paise??" ranvijay ne poocha

"app log office mujhe kuch paise dekar mai aati hoon peeche peeche" payal boli

Ranvijay irritate ho raha tha. Lekin kya kare wo. Paise aur is waqt

"ashwin madam ko dedo kitne chahiye" ranvijay bolkar chala gaya

Ashwin ne kareeb 10,000 rupaye diye payal ko

"aur kuch chahiye madam??" ashwin ne poocha

"nahi ashwin bhaiyya" payal muskurate hue boli aur ashwin wapas ranvijay ki aur chala gaya

"ye lijiye" payal ne paise us budhhe ki aur badhakar diya

Hairani de payal ki aur dekhte hue buddhe ke aankhen chalak gayi

"rakh lijiye" payal fir boli

"madam ji aap?? Wahi badi si Gaadi se utri hai na un sahab ke saath aayi hai na jo suit boot me the??" Buddha haath jodte hue bola

"wo sab baad me apki beti ki shaadi ka registration ke liye late ho raha hai baba, ye sab baatein fir kabhi karengi" bol payal ne muskurate hue paise us buddhe ke haath me rakh kar aage badh gayi

"kya hua pitaji kuch hua shaadi ke registry ka jugaad" ek aadmi aaya us buddhe je paas
To buddhe ne wo paise dikha diye us aadmi ko

"y ye to bohut paise hai babuji, registration ke baad bhi kaafi paise bach jayenge. Kahan se aaye ye?? " aadmi bola

"beta ek devi de gayi thi" Buddha bola

"lekin aap to Keh rahe the bhagwan hai hi nahi" wo aadmi bola

"galat Keh gaya tha beta mai, galat Keh gaya tha. Chal teri behen aur jija ko lekar a Registration ke liye late ho rahe hai hum" bol Buddha aage badh gaya

Ranvijay aur payal ki registration ho chuka tha
Payal udaas thi. Na uske parivar se koi aaya na hi ranvijay ki maa aayi thi

"ab chalo hotel me check in karna hai. Reception thode dino me hoga" ranvijay bola

"maine pehle hi kaha tha mujhe aisi taam jgaam wali shadi nahi karni Mr ranvijay" payal boli

"dekho mujhe bhi koi shauk Nahi hai reception dene ka. Lekin CM aur kaafi influential log a rahe hai aur isliye mujhe ye zabardasti karni pad rahi hai" ranvijay bola

"thik hai hoge dijiye appki reception lekin isme mujhe aapke Saare family wale chahiye" payal boli

"wtf ye kya mazaak laga rakha hai tum apne parivaar walo ko bulao na mana kisne kiya hai" ranvijay bola

"wahi meri shart hai warna ye reception me mai nahi rahungi aur aapko pata hai mai ye kar sakti hoon" payal boli

Ranvijay soch me pad gaya achi khaasi problem hai ye
Vijay bhaiyya aur jai ka aana impossible hai
Papa ko to.....

Kya kare kya kare

Tabhi ek car Saamne se aakar ruki aur usme se harshit aur Sumedha nikal kar aaye

Isse pehle ki ranvijay kuch samajh paata Payal daudkar unke Paas gayi

"sumedha, harshit dekho us din ke liye I am very sorry. Dekho wo aisa hua ki ranvijay ne aisa decision liya ki mai bhi kuch na kar saki" payal boli

"ye natak kisi orchestra group me karo didi acha hoga, pehle to ek ache se ameer aadmi se Shaadi aur uske baad hamara mazaak udana" sumedha boli

"itni gir jaogi socha na tha payal. Bohut ghatiya ban chuki ho tum" harshit ne Nafrat bhari nigahen daal kar kaha

"lekin usme meri kya galti hai sumedha??" payal boli

"galti ha ha ha, galti to kitni hai kya bataun. Hame pata nahi ki tum aur mera bhai shubham kya kya karte hai akele me?? " sumedha boli

CHATAAAAAAKKKKKK

Ek kheech kar chata maara payal ne
"itna bada ghinaouna ilzaam?? Chi??" payal ab rote hue boli
Sapne me. Bhi nahi socha tha usne ki uske aur shubham ke pavitra rishte ko koi aise badnam karega wo bhi shubham ki apni sagi behen

"how dare you hit her" harshit ne apna haath uthaya hi tha ki ek mazboot haath ne use rok liya

"koun hai ye?? Aur haath kaise utha raha hai tumpar??" ranvijay ne poocha to payal, harshit aur sumedha sab hairaani se dekhne lage ranvijay ko

Ashwin ne apna haath de maara apne chehre par
Ye aadmi aise bol deta hai aur log samajhte hai ki unki insult ho rahi hai
Ranvijay ke busy schedule me itne Saare logo ko pehchaan paana possible nahi hai
Lekin is bande ko to yaad rakhte.

"sir, he's......" Paul ne ranvijay ke kaan ke kuch kaha

"OK, hata yaar" bol jhatak diya pakda hua haath ranvijay ne

"dekho payal ainda mujhe ye log tumhari bezzati karte hue dikhne nahi chahiye, ab tum mrs vardhan ban chuki ho" ranvijay ne payal ki aur dekhkar kaha

Fir harshit ji aur dekha
"dekh bhai.... Kya Naam hai tera. Jo bhi hai ainda agar aisi harkat ki kabhi to wo haal karunga ki yaad rakhega, iska ek chota namoona abhi pata chalega tujhe" ranvijay bola aur payal ke saath jaate jaate ek ungliyon se chutki bajai aur Chris ko ungli se kuch samjha diya

Harshit gusse se abhi bhi dekh raha tha payal aur ranvijay ko

"abhi gussa thook do harshit, pehle registration to kar le shaadi ki. Fir dekh lenge

Harshit aur sumedha dono registration office pohuch kar registration ke liye aage badh gaye

" sorry sir abhi aap logo ka registration nahi ho sakta"ek lawyer bola

" sahi baat "doosra bhi bola

" doosri jagah kara lenge "sumedha boli aur harshit phone karne laga

Phir phone Kaat kar doosri jagah par phone lagaya usne
Fir teesri jagah par
Kaampne laga harshit

" s sumedha poore shahar me kahin bhi shaadi ka registration nahi ho raha hai yaar"harshit bola

Aur sumedha dhapp se baith gayi

" sab us chudail ka kiya dhara hai aur uske us ghamandi pati ka"sumdeha gusse se boli[/color]
 
[color=rgb(85,]Ranvijay jab payal ko pick karne pohuncha tab wo ghar me nahi thi
Isliye uske ghar me hi wait karne laga wo

"damad ji ye sab to aapne chua tak nahi" ranjana ne ranvijay ko bola

"mai sirf ye poori aur aloo ki sabzi lunga" bol ranvijay muskurate hue plate se khana shuru kiya to bas statue sa ho gaya
Kitna arsa?? Saal ho gaya the use aloo poori khate hue?? School me padhte hue lagbhag har din breakfast me yahi khaya karta tha wo
Lekin..... Fir achanak sab kuch badal gaya, uski life, uska career, uska sab kuch
Ek scientist banna chahta tha ranvijay. Nasa Me kaam karne ki...

"beta aisa kya soch rahe ho?? Acha nahi bana na?? Pata hai. Tum log to bade bade hotel me khate hoge, ye sab to bas mamooli khana hai, maine bataya tha ki Saamne ek restaurant se lekar aati hoon lekin ye payal ki bachi boli ki koi zaroorat nahi hai" ranjana dukhi hokar boli

"waise achi bani hai" ranvijay bola. Bas yahi Keh sakta tha. Ye nahi ki ye use purane dino me le gaye the

"waise payal kab aayegi??" ranvijay ne poocha

"phone kiya tha beta bas aati hi hogi" dadi boli is baar
Ranvijay ne apni kalai ko ghumakar time dekha

Tabhi scooty ki awaz aayi ghar ke bahar
Aur thodi der baad payal Ander dakhil hui

"ab kya ho gaya?? Itni subah yahan??" payal ne sawal uthaye to Ranvijay ne chai ki cup cukh di tea table par

"aaj lucknow jana tha na??" ranvijay bola

"maine kaha tha ki soch kar bataungi, abhi tak maine decision nahi liya hai Mr ranvijay" payal boli

"ye kya baat hai payal?? Chali ja na" ranjana boli

"uff maa tum samajhti nahi ho" payal apni maa se boli

"mujhe samajhne ki zaroorat nahi hai beta, tu damad ji ke saath chali ja lucknow beta ab tu samajh ja tu ab akeli nahi hai shaadi ho chuki hai teri, ab to bachpana chod de" ranjana ke bolte hi payal se kuch bolte nahi bana lekin gusse se ranvijay ki aur dekhne lagi

"kab chalna hai"payal ne poocha

" aaj. Infact agar him abhi chale to shayad Chaar Paanch ghante me pohuch sakte hai"ranvijay ne ghadi dekh kar kaha
Ashwin ne yahi time bola tha

"OK chaliye" payal boli

"lekin.... Ready to ho....." ranvijay ne payal ko dekhar kaha

"go chuki ready chaliye" payal boli
Aur ranvijay haarkar uth gaya. Ranjana aur daadi ko pranam karke nikal gaya aur Gaadi me baith gaya

"rukiye" bol payal ne apne purse se kuch paise ashwin ko diye

"ye kya hai madam??" ashwin ne poocha

"aapse us din 10,000 liye the na wo hai ye" payal boli

Ashwin hairan hokar sirf payal ko dekhe ja raha tha

"kya hua lijiye" payal ne paise aage badhate hue bola

"madam ye kya kar rahi hai aap?? Aise paise ka koi hisab hota hi nahi vardhan industry me, ise to miscellaneous expense bhi nahi Keh sakte, driver allowance hi 5,000 hota hai yahan, ab aap Mr vardhan ki wife hai in sab ki aadat daal lijiye" ashwin bola

"nahi ashwin bhaiyya in sab ki aadat dalne se aadmi banta nahi bigadta hai, waise bhi mai paise ke maamle me bohut strict hoon, ya ek rupya ho ya ek laakh. Liya hai to wapas zaroor karti hoon. Rakh lijiye" bol payal ne zabardasti paise de diye ashwin ko paise dekar car me baith gayi payal

Ashwin hairan hokar dekhne laga payal ko

"hey buddy let's go" Chris ne ashwin ke kandhe par haath rakha to ashwin ko hosh aaya aur wo Gaadi me baith gaya

Aaj ka mausam bohut acha tha. Baarish hui thi aur isliye khet zyada hare lag rahe the. Aur wo talab jisme bachhe naha rahe the
Payal ka man achanak se dukhi ho gaya India se Jaane ka dil me khayal aate hi

Ranvijay ki aur dekha usne
Abhi bhi nazar mobile par hi thi uski. Lekin ek haath me kai katne ke nishan the, payal ne socha pooch le lekin chup rahi

"mere baare me soch rahi thi ya man ke Gaali de rahi thi" ranvijay ne apne mobile se nazar bataye bina bola

"k k koun a apke baare me soch raha tha wo to mai bas..." payal ne gusse se muh ghuma liya to Ranvijay ne chehre par ek na chahte hue bhi muskaan a gayi

Ashwin sab dekh raha tha. Itne saal baad ranvijay vardhan muskuraya tha. Ye ladki koi aisi waisi ladki nahi hai wo us din hi pata chal gaya jab akele is ladki ne poore vardhan group ko jhukne par majboor kiya tha ek buddhe ke liye

Tabhi Saamne se ek truck aayi
Lekin driver ne badi kushalta se ek sharp turn liya aur bacha liya

Lekin isme payal ka balance bigad gaya aur wo ranvijay ke oopar gir gayi. Ranvijay ne thaam liya payal ko aur achanak dono ke chehre ekdum se Saamne ho gaye

DHAK DHAK DHAK DHAK

itni zor se dil kyun dhadak raha tha payal ka??
Wo bhi is aadmi ke liye jisse wo Nafrat karti hai??
Lekin ye perfume ki khushboo aur wo apnapan
Payal ko safe mehsoos hone laga ranvijay ki baahon me

Ranvijay bhi ek simple si ladki ko dekh raha tha
Na zyada make up na lipstick bas ek choti si bindi aur maang me sindoor. Sindoor??
Payal ne sindoor lagaya ranvijay ke Naam Ki???

"sir aap log thik to hai, hotel a gaya" ashwin ki awaz ne payal ko alag kar diya ranvijay se

Payal ne hotel dekha
Wow itna bada?? Sirf filmon me dikhate hai aisa
Ranvijay car se utarkar payal ko lekar hotel ki lobby me gaya

"are hamara saman??" payal ne poocha

"wo bell boy le ayega, tumne to koi saman pack nahi kiya??" ranvijay ne poocha

Payal ne gusse me kuch pack hi nahi kiya tha aane se pehle

"khair dekh lenge, room shayad ready ho jayegi. Tab tak coffee shop me breakfast karte hai" ranvijay bola aur payal ke saath coffee shop pohuncha gaya

Bread, muffins, dosa, omelet, poori, parathe, fruits, juice, milk shake, lassi
Aisa kuch payal ko yaad nahi jo waha nahi tha

Ranvijay ne ek omelette liya aur black coffee ke saath khaane laga aur newspaper padhne laga

Wahi payal ek dosa lekar khane lagi

"aur kuch logi??" ranvijay ne poocha

"ji nahi break fast matlab light hota hai. Rakshas ki tarah khane ka shouk nahi hai mujhe" payal boli

"hmm ok chalo fir room me" ranvijay bola

Pehli baar is ranvijay ke saath ek room me Rehne wali thi payal halki si ghabrahat ho rahi thi use
----------------------------------------------------------------------
Mrs sarita ka phone bohut der se baj raha tha
Is Waqt koun phone karega??

"hello??" USA ka number tha lekin vardhan parivar ka koi nahi tha

"kaisi ho bhabhi??" ek awaz ne mrs sarita ho hilakar rakh diya tha.
Aah bhi wo awaz nahi bhool sakti hai wo

"tum?? Kaise phone kiya aaj tumne Anchal??" Mrs sarita ne poocha

"kyun apni bhabhi ko phone nahi kar sakti?? Ek aap hi to thi jo mere liye ladte hue poore parivar se alag ho gayi thi." Anchal boli

"choro purani baatein, acha laga ki kisi ne to yaad kiya mujhe" Mrs sarita ek feeki muskaan ke saath boli

"mai to hamesha se aapke Saath thi. Hoon aur rahungi bhabhi. Mai aapke Paas zaroor aungi bhabhi jab mai apne haathon se is vardhan parivar ka Naam o nishan mita doon" anchal boli

"ye sab kya bol rahi ho Anchal Pagal to nahi ho gayi ho??" Mrs sarita chillai

"teer kaman se nikal chuka hai bhabhi. Mera astitva mit chuka hai. Lekin mere jivan ka ek hi lakshya hai. Badla badla aur badla. Jo in vardhan ke khatam hote hi poora hoga. Chahe usme meri Jaan hi kyun nahi chali jaye" Anchal boli

"are, Pagal ladki sun to. Anchal ?? Anchal? ?" phone kat chuka tha Mrs sarita ki awaz kamini tak kaise pohunchti???[/color]

(((((((((((((((((((((((((()))))))))))))))))))))))))))

[color=rgb(85,]Sorry guys galti se anchal ki jagah maine kamini use kiya jisse confusion ho gayi
Plz maaf kare is galti ke liye
Maine correction kar diya hai waise[/color]
 
[color=rgb(85,]Payal jab room me pohunchi to wo koi room nahi wo ek bade se mahal ka koi room tha.[/color]

[color=rgb(85,]Ranvijay kahi dikh nahi raha tha

Payal ne wash room me aakar apne kapde utare aur shower on kiya
Gunguna pani aur exotic fruits se bane shampoo ki khushboo ne payal ke thakan ko halka sa mitaya

SPLASH

Tabhi bath tub se koi shaks bahar nikla. Payal ne apni aankhen saaf ki. Saamne ranvijay khada tha

"KYAAAAAAAAAAAAAAAAAA" payal apni aankhen band karke chilla uthi

---

"tum... Tum.. Tum...tumne mera sab kuch dekh liya" payal boli gusse se ranvijay ki aur dekhkar boli

"aur tumne jo mera dekha wo kuch nahi" ranvijay bola

Payal kuch boli nahi lekin uska chehra laal tha gusse se aur is gore chehre par gusse ne use aur khoobsoorat bana diya tha
Kise ranvijay na chahte hue bhi dekh raha tha

"aise ghoor kyun rahe ho mujhe??" payal ne poocha

"aur tum jo ghoor rahi ho mujhe??" ranvijay bola

Dono ko pata hi nahi chala ki kab aap se tum me ek doosre ko bulane lage[/color]

[color=rgb(85,]"acha baba sorry aage se nahi hoga" jab ranvijay ne maafi maang. Tab jaakar payal thodi shaant hui[/color]

[color=rgb(85,]"waise ready ho jao hame lucknow me kuch aur shopping karni hogi" ranvijay bola aur fir apne laptop me kaam karne laga

Payal ne ranvijay ki aur dekha kitni der tak Nafrat karti rahegi is insan se jo bhi hai shaadi to kar hi chuki hai. Acha ho ya bura ab yahi uska pati hai. Pyaar Na Sahi lekin kam se kam Nafrat bhi nahi

"kya hua??" ranvijay ne poocha

"kuch nahi. Aaj mai tumhe lucknow ki sair karwaungi" payal boli

Ranvijay ne payal ki aur dekha?? Isko kya hua??jab dekho ulte jawab dene wali ladki ko kya hua aaj???
Lekin pata nahi kyun aaj mana karne ka man hi nahi ho raha hai

"kya hua chalo" bol payal ne room ka darwaza khola aur bahar gayi
Ranvijay utkar bahar aaya aur jaise hi Jaane laga payal ghoor e lagi use

"jab dekho ye coat, tie pehen kar jaoge?? Chalo use wapas rakh do" payal ne kaha

"bilkul nahi ye meri shaan hai I am ranvijay vardhan aur..." ranvijay bolte reh gaya aur payal ne uske coat ko nikal diya

"are....are"ranvijay bolta reh gaya

" ab tie nikalo"payal ne fir kaha

"bilkul nahi" ranvijay bola
Payal ne fir zabardasti tie nikal liya aur coat aur tie ko kamre rakh diya

"ab chalo" bol khilkhilakar hasne lagi payal
Ranvijay irritate hokar kuch kehne hi wala tha ki payal ki khilkhilahat sunkar payal ki aur dekhne laga

-----
5 saal pehle

"dhruv bhaiyya.sabhi ladkiya ek si hoti hai na??" pahal khane ke ek chote se kamre me baitha ranvijay bol utha

"chalo ranvijay. Mai tumhe lene aaya hoon" dhruv muskurakar bola

"aapne mere sawal ka jawab nahi diya dhruv bhaiyya" ranvijay ne dhruv ki aur dekhkar bola

Aankhen Ander sikudi hui, haathon me bandage aur kamzor sharir ke saath ranvijay kisi tarah khada hua aur khidki ke Paas jakar khada hua aur bahar dekhne laga

"ranvijay kabhi kabhi insan ko sawalo ka jawab khud mil Jaana chahiye. Chalo mai tumhe lene aaya hoon. Chalein" muskurate hue dhruv ne apna haath aage badhaya

-------

"kahan kho gaye, chalo" bol payal payal ne ranvijay ka haath pakada aur aage badh gayi
Ranvijay ne apna haath dekha is par payal ke haath ka kabza tha uske haath par

Chalte chalte dono market me a gaye

"wow panipuri" bol payal aage badhne lagi panipuri ke thele ki taraf

" e e ek minute, uski haalat to dekho itna unhygienic hai wo" ranvijay darte hue bola

"hey bhagwan pata hai ye kitna famous hai dekho na kitni line lagi hui hai chalo chalo" payal hasne lagi fir ranvijay ka haath pakadne wali thi
Lekin is baar ruk gayi aur uska hasna bhi ruk haya
Dil ko dhadkan badhne lagi uski

"chalo chalte hai" ranvijay ne is duvidha se nikal liya tha payal ko aur payal chupchap ranvijay ke saath us pani puri ke stall ki aur chali gayi

"bhaiyya do plate ekdum zabardast teekha maar ke" payal ke bolte hi ranvijay ke hosh udd gaye
Teekha??? Ye ladki marwaegi, pata nahi kyun is Pagal ladki ke saath yahan a gaya

"ye lijiye babuji" panipuri wale ne ek plate badha diya ranvijay ki aur
Usne ek panipuri utha to liya lekin bas dekhta raha us panipuri ko, himmat nahi ho rahi thi use khane me

"are ise muh me to lo" bol payal ne ranvijay ka haath pakadkar usi ke muh me daal diya

"khau..... khau....." itna teekha?? Ranvijay ke aankhon se Paani a gaya tha

"lo Paani pee lo ye khana tumhare bas ki nahi" payal boli aur ranvijay se wo plate lene ke liye haath aage badhaya

Bas ki nahi?? Kya samajhti hai ki ranvijay vardhan ise nahi kha sakta?? Abhi dikhata hoon
Aur isi ke saath poora plate kha gaya ranvijay

Lekin poora chehra laal ho gaya tha
Aankh aur naak se Paani nikal raha tha. Payal kisi tarah apni hasi roke hue thi

"wow kya Maal hai yaar??" ek awaz aayi aur payal ne mudkar dekha ki teen Chaar ladke unki aur dekh rahe the

"ek lallu panju ke saath kya kar rahi ho yaar?? Hamare Saath panipuri kha lo, maza a jayega" doosra bola

"aur panipuri ke saath extra Paani ka charge bhi nahi karenge" teesra bola

"chalo chalte hai" payal boli aur uthne lagi lekin ranvijay ne uska haath pakad liya

"lallu panju kisne bola??" bol apne full shirt ke cuffs jo chadhane laga ranvijay
------------------------------------------------------------------
"aapko bhook lagi hai??" jai ne awaz di to roma ne dekha jai kitchen ne gaya hai

Hasi a gayi roma ko. Kuch hi din hue roma ko ghar shift karke. Lekin jai har Waqt jab bhi khane ka Waqt hota hai use bulata hai
Aaj tak kabhi gandi nazar se dekha hi nahi roma ko usne

Poora din kitabon me dooba rehta hai. Shaam ko aata hai.
Kai baar to roma ko chai banakar pilayi usne

"nahi jai mai kha chuki hoon tum kha lo" roma boli

"waise maine ek part time job karna shuru kar diya hai. Ek pizza restaurant me. Chaho to tum join kar sakti ho" jai bola

Roma hairan hokar hai ko dekhne lagi. Aaj ke is duniya me bina matlab ke log kisi ki bhalai to door haal chaal tak nahi poochte
Lekin ye ladka kyun baar baar aage peeche mandra raha hai??

Kahi iska irada roma ka sharir paane ja to nahi??

"waise soch lo. Tumne kaha tha ki tumhare job me security nahi hai
Isme pf bhi hai aur salary 15,000 de rahe hai." bol jai wapas apne khana banane me lag gaya lekin roma soch me pad gayi[/color]

[color=rgb(85,]Ye jai aakhir chahta kya hai??[/color]
 

Similar threads

Back
Top