• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Romance BEAUTY AND THE BEAST 2 (COMPLETED)

[color=rgb(85,]"bada hero ban raha hai??" pehla gunda bola aur ranvijay ke Paas aaya aur dhakka dene ke liye jaise hi haath aage badhaya

Ranvijay ne uska haath pakad kar apni aur kheencha aur usi ke saath wo gunda apna santulan kholkar ranvijay ki aur ladkhadata hua aaya

DHADDDD

Jabde par pada us gunde ke aur wahi gir gaya wo gunda

"next" ranvijay dono gundo ki aur dekhkar bola

"ek Saath dono Vaar karte hai" dono gunde ek Saath bol uthe
Ranvijay ne haathon se ishara kiya aur dono uski aur lapke

DHAMMM

Ranvijay ne kohni maari aur... Doosra gunda pet pakad kar baith gaya

Teesra gunda thar thar kaampne laga. Aur ranvijay ne uski aankhon me aankhen daal kar bola
"ab kya hua?? A ja?? A Jaa??"

Gunda daudkar bhag gaya

Tabhi ranvijay ka haath kisi ne pakad liya
Ranvijay ne dekha ki payal ne uska haath pakad kar apna dupatta baandh rahi hai

"ye sab kya hai?? Kya mai itna kamzor hoon??" bol haath jhatak diya ranvijay ne
Shayad is maar dhaad me uska haath kat gaya hoga

"zyada herogiri mat dikhao" bol for haath pakad liya payal ne aur us par apne dupatte se saaf karne lagi

"khoon to ruk gaya hai lekin mere khayal se hame kisi hospital me jakar dressing karwani hogi" payal boli

"kya?? Is chote se cut ke liye hospital??" ranvijay bola

"Haan hospital, ab chalo" ranvijay ka man to nahi tha lekin pata nahi kyun Maan gaya

"thik hai chalo lekin uske baad shopping, mai kabhi apne plan cancel nahi karta payal" ranvijay bola

Payal ne kisi tarah apne aap ko hasne se ok rok rakha tha

"acha baba chalo" payal boli

Tabhi ek call aaya ranvijay ko

"yes Hugh tell me" ranvijay bola

"sir SATURN corp is interested to buy udream for 1.2 billion dollars" high bola

"when" ranvijay ne poocha

"by this week" high bola

"when is the deadline" ranvijay ne poocha

"today is Monday. So by Sunday" high bola

"offer them 2 billion but we want exclusive rights of their TV channel as well" ranvijay bola

"sir why do you think they will sell it??" Hugh chaunkte hue bola

"because they need money, more money to save themselves. Clear??" ranvijay ne bola

"right sir" Hugh haste hue bola aur phone Kaat diya

"kya hua?? Aaoge bhi??" payal ne door se awaz lagai to Ranvijay uski aur chala gaya

---------------------------------------------------------------------
SATURN CORP
" bas kuch hi dino me we will aquire udream. Uske baad we will rule the world madam" Mr kumar ne khush hote hue apne md ki aur dekhkar kaha

"wo to hai meera madam itni mushkil se, mehnat karke apne shareholders ko manakar is deal ko final karne me aapka jo haath hai wo kisi se chupa nahi" Mr mail bola

Meera muskurayi. Sachmuch ye deal ke liye usne sabkuch kiya jo karna chahiye tha. Market me raaj kiya karte the wo
Lekin Victor frame Naam. Ki company pichle do saal se takkar deti a rahi thi. Aur ab to saturn ke aamne Saamne khada ho gaya
Kareeb 50% client le gaye wo Saath me har naye contract unko mil rahe hai har naya deal unko ja raha hai

Ab is deal se victor ko pachad kar top most gaming Company ban jayegi saturn. Haan 1.2 billion haath se jayega lekin maza bhi aayega

Tabhi ek call aaya meera ko aur wo apne soch se bahar a gayi

"bhabhi..... Wow bohut khush hoon mai aaj aapke liye aaj shaam ko party party party" khilkhilate hue Mandy boli

"mandi ki bacchi bas party Haan?? Aur kuch nahi chahiye life me??" meera boli

"I don't know aap bas bhaiyya ko phone karke bata dijiye mai arrange karne ja rahi hoon" mandy boli

"wait wait wait party usi din karenge jis din hame wo deal milega" meera boli

"idea acha hai. Ok bye" bol Mandy ne phone rakh diya

Meera ne apne pati ko phone lagane ki sochi lekin ruk gayi
Kya kare wo??? Tabhi phone baj utha uska. Uske pati ka tha
Kya baat hai aaj sab usi ko phone kar rahe hai

"congrats to the best wife in the world" bhushan bola

"best wife?? Acha ji aur Baaki Saari wives ka koi contribution nahi" meera haskar boli

"hai lekin tum jaisa nahi aaj agar mai nasa me ek scientist hoon wo bas tumhari badaulat Jaan" bhushan bola

"I is baare me kabhi baat nahi karenge kaha tha maine" meera ka mood achanak change ho gaya aur wo gusse me tilmila uthi

"OK baba ok aage se mai aise...."

CLICK

Meera ne phone rakh diya tha lekin abhi bhi kaamp rahi thi[/color]
 
[color=rgb(85,]Ranvijay apne bandaged haath ko gaur se dekh raha tha
Payal ne zabardasti hospital me dressing karwa kar bina shopping kiye hotel le aayi ranvijay ko
Aur Saare nikamme staff tab aaye jab poori story khatam ho chuki thi. Lekin...... Ye kaisa rishta taiyyar ho raha hai payal aur uske beech?? Ek pati patni ka to door. Friendship tak nahi hui hai dono ke beech. Fir kyun payal ke honto par muskurahat dekh kar acha lagta hai ranvijay ko. Kyun uski khushi ke liye wo un aag ke gole jaise Paani Puri jo shayad poore shahar ke mirch daal kar banaye gaye ho ko kha gaya tha ranvijay

RING RING

"yes Hugh, tell me" ranvijay ne ghadi dekhi. Itni subah hugh ka phone??

"sir, deal is finalized its 1.9 billion we are investing, actually they were asking for 2.3 but I negotiated with them and they agreed" hugh khud ki tareef sunne ke liye apne kaan bade kar liye

"if you guys would have tried a little harder I wouldn't had to come all over from. USA to this shitty place" ranvijay sakhti se bola

"s s sir..... I am getting a call from udream" bol hugh ne jaise taise call rakh diya
Idiots sab ke sab. Thoda kaam karo to seena chauda kar ghoome hai. Waise payal abhi tak ready nahi hui???

"y ye to kaafi ajeeb hai" payal boli aur ranvijay ka muh khula reh gaya payal ko dekhkar



"tumhe to wo red wala gown pehenna tha" ranvijay ki aankhen hat nahi rahi thi payal se
Laal rang ki simple si saree kaafi kach rahi thi usme. Upar se choti ki kaali bindi.

"pata hai wo kitna mahenga hai?? 70,000 Baap re usme to poori dukan a jayegi, waise ye saree bhi mehengi hai.3,600 ki hai ye" payal boli

Ranvijay ne apne sar par haath de maara

"acha ab chalo hum late ho rahe hai" ranvijay bola
Payal chal padi ranvijay ke saath

Agarwal ne hotel me reception rakha tha aur dono waha pohunche
Payal ko dekh sab fusfusane lage

"aisi party me saree koun pehenta hai yaar??"

"looks like she is new to this culture"

"shayad ye wahi hai jisse vardhan group ke md ne shadi ki hai, but why her??"

sab ghoor rahe the aur payal dar rahi thi. Usne ranvijay ka haath anjane me kaskar pakad liya

"welcome welcome mr ranvijay" Mr aur Mrs agarwal dono khade the

"thanks Mr agarwal, party kaafi arrange ki aapne" ranvijay muskurate hue bola

"wow kitni khoobsurat hai aapki wife Mr ranvijay" Mrs agarwal ne payal ke gaal ko chookar bola to payal ki aankhen neechi ho gayi

"tum payal ko kyun nahi hamara naya mandir dikha deti, mai ranvijay se thoda baat kar leta hoon" Mr agarwal apni wife se muskurate hue bole
Mrs agarwal muskurai aur payal ko apne Saath le gayi

"bohut bholi hai jo kamina insan pehchaan nahi paayi" Mr agarwal bole

"ji??" ranvijay ne poocha

"yahi ki tumhari wife kitni bholi hai Mr ranvijay, jo tum jaise insan se Shaadi kar baithi" Mr agarwal bole

Ranvijay chup raha

"mujhe nahi pata ki tumne use kaise manaya, lekin tumhe mai achi tarah se pehchanta hoon ranvijay, sirf tumhare papa ke dost hone ki wajah se aaj tak rishta kayam hai warna...." Mr agarwal ne apne glass se whiskey se ek sip liya aur party me shamil ho gaye

Ranvijay unhe dekhne laga, budhha itni aasani se wo deal nahi dega.
Damn.. Damn.. Damn

" ranvijay??? Chalo na mere saath"payal ne ranvijay ke Paas aakar kaha

"kahan??" ranvijay ne poocha

"aunty ne na ek achi si mandir banai hai. Kal Pooja hai chalo na dekhne chalte hai" payal boli to Ranvijay ne party ki aur dekha. Mr agarwal kisi bhi Waqt announce karne wale hai us group ka Naam jisse wo deal karenge
Lekin ye ladki...

"uff chalo na yaar" payal je apni kamar me haath rakhkar kaha
Ranvijay ne payal je kamar ki aur dekha. Kitni gori....

Payal ne dekhte hi use dhak diya. Kitna tharki hai ye insan

"chalo" bol ranvijay bikal pada Payal ke saath.
Radha krishn ji ka mandir tha aur bhajan chal raha tha

"chalo na baith jaate hai" payal boli

"are lekin wahan deal ki baat finalize hogi yaar" ranvijay bola

"uff tum bhi na yaar, abhi time hai na" bol payal ne ranvijay ko zabardasti bitha diya us bhajan me
Ranvijay baith to gaya lekin uska dil aur dimag dono wahi party me tha
Udhar payal ne aankhen band kar bhajan me leen ho gayi

Kaafi der baad ranvijay ne ghadi dekhi time ho gaya tha
Bhajan khatam hua aur ranvijay lagbhag bhag kar gaya us party me
Khatam ho chuka tha party. Shayad decision liya ja chuka tha
Damn it

"kya yaar deal hi nahi dena tha to bulaya kyun??"

"time waste"

"isse acha to kuch aur karte. Kehte Hai Pooja me bhi sharik hone ke liye. Hum kya faaltu baithe hai??"

"shayad deal karna hi nahi tha"

Ranvijay ke dimag me hulchul hone lagi. Yani deal finalize nahi kiya gaya. Lekin kyun??

"aunty aapka mandir bohut acha hai, agar aapko aitraz na ho to kya hum kal Pooja attend kar sakte hai??" payal ne poocha

"mere khayal se jal possible nahi hoga payal kal hame kaam hai" ranvijay ne payal se kaha

"kya kaam?? Pata hai kal aunty ne ek bade se Pooja ka ayojan kiya hai, garibon ko kapde aur khana khilaya jayega" payal boli

"lekin payal hum..." ranvijay ko yakeen nahi ho raha tha ki payal itni bholi hai

"hum a jayenge aunty kal subah" payal boli aur Mr and Mrs agarwal muskurane lage

"ab chalo" bol ranvijay bina kuch bole payal ke saath apne hotel ki aur rawana hone laga
Poora mehnat barbaad. Isse acha to Africa ke oil ko handle kar leta
Lekin nahi use to in agarwal ke saath time waste karne ke liye hi ana tha
Usne payal ki aur dekha. Agarwal ke party me na usne kuch khaya tha na payal ne.
Apni Gaadi restaurant ki aur karne ko bol diya usne driver ko
----------------------------------------------------------------------
Vijay apne khayalon me khoya hua tha ki wheelchair ki awaz bhi sunai nahi di use

"vijay??" Mr vardhan ne dheere se vijay ke sar par haath fera

"oh papa, aap kab aaye" vijay chaunkte hue bola aur uthkar lights on kar di

"kab se andhere ki aadat ho gayi tujhe??" Mr vardhan ne poocha

"ye aap pooch rahe hai papa??" vijay bola

Kuch der tak dono khamosh rahe

"suna hai ranveera ne shaadi kar li" Mr vardhan bole

"aapke muh se ranveera sunkar acha laga papa. Warna hamesha ranvijay hi sunai deta hai Aajkal" vijay haste hue bola

"tumne mere question ka answer nahi diya beta" Mr vardhan bole

"jab aapko pata hai fir mai kya bolu papa" vijay bola

"usne hame batana zaroori nahi samjha beta??" Mr vardhan dukhi hokar bole

"aap usse kya expect kar rahe the papa??" vijay je poocha

"kyun ye ghar toot raha hai beta?? Jai ka call nahi aata ranvijay ko fursat hi nahi rehti. Ek Tu hi hai jo sabko ek karne ki koshish kar raha hai lekin agar tu hi aise andhere me apna Waqt bitaega to kaise chalega????" mr vardhan bole

Vijay chup raha

" mai samajh gaya, good night beta"mr vardhan bole

"good night papa" Vijay bola aur lights off kar diya usne

Mr vardhan dheere dheere bojhil wheelchair se chal pade apne kamre ki aur[/color]
 
[color=rgb(85,]"y ye to kaafi mehenga hai" payal ne menu dekhkar bola.

"tum bas order karo" ranvijay bola

"dal makhni 700 rs naan 250 rs ye to loot hai, khana de rahe hai ya sona de rahe hai??" payal boli

"order karogi tum??" ranvijay ka gussa badh raha tha

"h Haan" payal boli aur idhar udhar dekhne lagi
Ranvijay ne isharo me ek waiter ko bulaya

"bhaiyya e ek dal tadka a aur do roti" payal boli aur waiter ne ranvijay ki aur dekha
Ranvijay ne menu le liya aur bola

"get the best you have, boiled potato and a glass of milk" ranvijay bola
Hey bhagwan ek din me ye aadmi itna kharch karta hai wo bhi khane me??? Payal ne socha. Restaurant khali sa lag raha tha

"ye restaurant itna khali kyun hai??" payal ne poocha

"kyunki maine poora restaurant book kiya hai mujhe logo ki chahchahat pasand nahi " ranvijay laptop me kaam karte hue bola

"tum bhi na, isme kahan maza hai, maza to hai logo ke beech enjoy karke khane me, ghoomne me aur logo ko janne me" payal boli

"wahi log to tumhara fayda utha kar tumhare peeth par chura ghopte hai" ranvijay ne sakhti se bola

"bas kuch galat logo ki wajah se sabse vishwas karna chor doon?? Nahi sabko apne karmo ki saza milegi ranvijay, sabko" payal boli

"ye sab bas filmo me, kitabo me aur sunne me acha lagta hai payal, duniya ko dara kar hi jhukaya ja sakta hai ache karmo se nahi" ranvijay bola

"napolean, hitler, mussolini, changez khan aur Alexander. Sabne duniya ko jhukana chaha. Lekin kya kamyab hue??" payal ne poocha

Ranvijay kuch Kehne wala tha ki khana a gaya
Apna khife aur fork uthaya usne khane ke liye. Lekin payal ne apne haathon se khana shuru kiya
Ranvijay ne muh banate hue khana jaari rakha

" are sirf uble hue aloo aur doodh?? "payal hairaani se bol uthi

" hmm, doctor ne mana kiya hai "ranvijay bola
Payal ne baat aage nahi badhayi aur khane me concentrate karne lagi.

" get the bill please "ranvijay ne khana khatam kar bola

" ek minute bhaiyya, please ye bache hue khane ko pack kar dijiye na"payal boli

"kya??" ranvijay lagbhag chilla utha

"please bhaiyya" payal boli to Waiter ne Haan me sar hilakar khana uthaya aur le gaya

"ye sab kya hai payal?? These are so low class" ranvijay bola

Payal kuch nahi boli aur wo waiter ke haath se bacha hua khana le liya
Restaurant ke bahar aate hi ranvijay payal ko khojne laga to door usne dekha ki payal ne restaurant se laya hua packet ek bhikarin ko de diya aur apne purse se kuch paise nikal kar use de diye

Idiot, aise duniyadari nahi chalti. Ranvijay ne socha aur uska wait karne laga. Payal jab wapas aayi to bohut khush thi

Tabhi use phone aaya mrs sarita ka

"engagement ho gayi aur shadi bhi ab kya company ka deal hoga bhi" ranvijay ke awaz me Sakhti thi

"Haan beta zaroor lekin uske liye tujhe yahan aana hai beta tab jakar mai khud apne haath se factory me tujhe apne papers saupungi" Mrs sarita ne muskurate hue bola

Payal ranvijay ko dekh rahi thi. Aur samajhne ki koshish kar rahi thi. Jo insan payal ke bin bataye ek restaurant me le Jaata Hai wo apni maa se aise baat kyun kar raha hai
Maamla itna seedha nahi hai jitna dikh raha hai

Ranvijay ke dimag me kya chal raha tha sirf use hi pata tha aur kisi ko nahi kisi ko nahi

-----
5 years back

"sir ye kya tha??" chota sa ranvijay ne dhruv ke company me uska assistant banna pasand kiya tha apne group me post lene ke bajay

"ranvijay business me agar competition ko maarna hai to competetors ko khatam kar do" dhruv bola

"samjha nahi sir" Pagal khane se dhruv le aaya tha aur tab se wo dhruv bhaiyya ki jagah dhruv sir ban gaya tha ranvijay ke liye. Uska adarsh aur uska mentor

"jab tumhe lage competition ko khatam karna hai to ya fir us competetors ko kharid lo, ya aggressive marketing karo, ya customers ko aisa offer do ki wo us competetor ko bhool jaaye aur tumse jud jaaye. Haan isme loss hoga initially lekin agar competetors dheela nikla to tumhari hi victory hogi "dhruv ne ranvijay ke kandhe par haath rakh kar muskurate hue bola

" l lekin k kya mai aisa businessman ban sakta hoon dhruv sir?? "ranvijay ne dhruv ki aur dekh kar poocha

" lekin tum to ek scientist banna chahte the na?? "dhruv hairan tha

" aapne uska answer nahi diya jo maine poocha "ranvijay ne poocha

" agar tum. Apna neend, chain, bhook, pyaas bhool kar ek foundation start karo aur apni aankh bas apne lakshya ki aur rakho to kar sakte ho"dhruv bola

"lekin kya wo m meri baat manenge??" ranvijay ne poocha

"apna results dikhao, khud apna staff pic karo, inefficient ko laat markar bhagao aur efficient ko aur efficiant banao. Ek darr ka mahoul banao, ek respect paida karo apne competetors ke man me samjhe ranvijay" dhruv bola

Ranvijay muskurakar reh gaya
--------

Car ki break ke saath hi ranvijay wapas present me a gaya past se. Payal so chuki thi car me
Aur uske baal uske chehre ko dhak rahe the. Ranvijay ka haath uske baalon ko hatane wala hi tha ki

"sir Hugh ka mail aaya hai ki kal hi deadline hai udreams ko kharidne ka" ashwin ke bolte hi payal uth gayi aur ranvijay ne apne haath hata liye

Kal ke Pooja ke liye payal jaldi so gayi thi
----------------------------------------------------------------------
Agarwal ko ranvijay ko dekh zara bhi acha nahi laga
Lekin kya kare uski wife ne payal ko jo bulaya tha

"mujhe laga nahi tha tum aaoge" Mr agarwal ne ranvijay se bola

"nahi aata lekin payal ki wajah se aana pada" ranvijay bola

"mujhe laga ki ranvijay vardhan apne Baap ki bhi nahi sunta" haste hue Mr agarwal bole to Ranvijay ne apni muthhi kas li gusse me

"wo dekho payal yahan a rahi hai, aao payal " Mr agarwal ne payal ko bulaya.
Ranvijay ki aankhen sikud gayi. Ab kya hai is buddhe ke dimag me??

"beta payal ye contract jo hai jiske liye itni badi party hui. Wo kise milna chahiye" me agarwal bola

"jo best hoga" payal boli to Ranvijay aur agarwal dono hairan ho gaye

"lekin agar isse tumhare pati ko ye contract nahi mila to??" agarwal ne fir poocha

"agar aisa hota to aap fir se hame na bulate, aapne hame nahi sabko Pooja me bulaya hai. Lekin koi nahi aaya hamare siva isse ye pata chalta hai ki ranvijay wo contract ya jo bhi hai uske liye kitna passionate hai. Baaki aapki marzi mai to sirf aunty ki help karne aayi thi"payal boli
Agarwal ko yakeen nahi ho raha tha payal ko dekhkar. Itni si ladki itni badi badi baat kar gayi

"lekin agar ye contract milega to kya tum har saal Pooja ke liye aaogi" agarwal muskurate hue boli

"Haan kyun na.." ranvijay bolna cha raha tha lekin agarwal ne chup kara diya

"contract ka pata nahi lekin mai har saal zaroor aungi agar mauka mile to waise agle saal se mai contribute karna chahti hoon apne paiso se. Is saal sirf 1000 de paayi uncle" payal muskurate hue boli

"beta ye tumhare 1000 rupaye kai crore se zyada hai" agarwal bola

"acha mai chalti hoon uncle bohut sara kaam karna hai" bol payal chali gayi

"ranvijay vardhan ye contract tumhara hua, lekin payal ko har saal Pooja me aana hai. Tum aao ya nahi I don't care. Lekin payal is a must" agarwal bola

Ranvijay payal ki aur dekh raha tha. Jo usne itna Saara plan karke nahi le paya wo is mamooli ladki ne bina kuch kiye hi haasil kar diya
----------------------------------------------------------------------

TRING TRING

"hello??" ashmit ne phone uthaya

"madam kya socha aapne??" shivraj ka call tha

"Mr shivraj mai is company se beimani nahi kar sakti" ashmit boli

"mujhe pata tha aap ka jawab yahi hoga, lekin..... Khair aapka beta...." shivraj ne baat aadhi chor di

"m mere b bete se kya matlab hai aapka??" ashmita boli

"aapke bete ko agar pata chal jaaye ki uska papa mara nahi balki.... He he he" shivraj bola

"SHUT UP SHUT UP SHUT UUUUUUUUP" ashmita gussa aur darr ke maare kaamp rahi thi

"24 hrs kyunki utne me hi ranvijay vardhan ke Naam ho jayegi company. Is time ke Ander mujhe mera jawab chahiye" shivraj ka phone kat gaya tha[/color]
 
[color=rgb(85,]"g good morning madam" ashmita ne Mrs sarita ko wish karte hue kaha

"good morning ashmita, papers ready hai??" Mrs sarita ne poocha

"us baare me madam ek suggestion dena tha" ashmita boli

"bolo" Mrs sarita ne dekha ashmita ko. Aaj kuch ajeeb sa behave kar rahi thi. Jis area me uska concern nahi hai us par suggestion de rahi thi

"matlab aisa hai Madam ki aapko to pata hai shivraj vardhan bhi ek acha competetor hai fir kyun na use hum approach karte" ashmita ne idhar udhar dekhte hua kaha

"ashmita ye deal ranvijay ko isliye nahi ja raha hai ki mai use support karti hoon. Balki isliye ja raha hai kyunki wo deserve karta hai, sabse zyada bid usne lagai. Aur staff ke liye incentives aur naye naye perks offer kiya usne.plus bank loans clear karne ka offer bhi diya, plus investors ka bhi Haan Tha is decision me beta"mrs sarita muskurate hue boli

Ashmita ke Paas bolne ke liye kuch nahi tha. Lekin use kuch na kuch to karna tha. Use koi na koi raasta to nikalna tha is situation se nikalne ka warna wo aadmi shivraj kuch bhi kar sakta hai.

"kis soch me pad gayi ashmita??" Mrs sarita ne poocha

"kuch nahi aunty, b bas w wo..... Mai c chalti hoon aunty" bol ashmita kamre se nikal gayi

Mrs sarita ki aankhen ashmita par gadi rahi
Ye ladki hamesha madam bola karti hai jab wo factory me rehti hai
Fir aaj achanak aunty kaise Keh diya isne??? Aur itni ghabrayi hui kyun hai??? Ranvijay ya vijay se baat karne ka koi faayda nahi wo dono ise zyada serious le lenge aur is ladki ko abhi ke abhi job se chutti kar denge
Fir kaise help kare ashmita ki??....
---------------------------------------------------------------------
SATURN CORP
Conference room me chuppi kaatne ko daud rahi thi.
Sabhi chup the

"madam mujhe samajh me nahi aaya ki aisa kaise ho gaya?? Humne jee Jaan se is udreams ko khareedne ka plan kai mahine se banaya tha" ek board member bola

" lekin plan successfull nahi hua aapka sir"doosre board member ne kaha

" lekin Humne udreams ko isliye kharidna chaha kyunki hum unke do studios TP technology aur GAMBIT ke saath Co operation me chal rahe the, poora hisab bigad gaya ab yo"teesre board members ne kaha

" ab hame usi group ke saath deal karna padega jiske Saath hum compete kar rahe the" aur ek member ne kaha

"bas karo aap log, meeting is over" meera boli. Sabr ka inteha toot raha tha meera ka. Kal ki aayi company victor frame ne udreams ko kharid liya damn it. Sab board members chale gaye conference room se

"hugh hamare yahan ek malooli staff tha madam. Lekin usko vector frame ne hire karke company ka head bana diya. Bas do saal me isne vector ko hamara compete tor bana diya" is baar secretary kumar bola sab members ke jaate hi

"kumar is baar hum target kar rahe hai BB ko agar BB hamara ban jaaye to apna kaam ho jayega, warna is baar hame vector frame ke Saamne jhukna hoga aur TP aur GAMBIT ke gulam bankar reh jayenge" meera sakht hokar boli

"mai chalta hoon madam" bol kumar chala gaya aur uske jaate hi meera ne apni aankhen band kar di
Kuch der baar usne drawer khola to usme kuch magazines thi

Young entrepreneurs of the year, young achievers of the year, best innovative ideas, youngest to reach a milestone

Kaampte hue haathon se meera ne un magazine par haath fera us shaks ke chehre par jo damak raha tha, chamak raha tha
Aur wo chehra tha ranvijay ka
----------------------------------------------------------------------
Car ghar tak pohuch chuki thi aur ranvijay chup tha, chup thi payal bhi
Goodbye Kehne ka Waqt tha. Deal finalize hone ke baad ranvijay aur payal seedha wapas a gaye the payal ke ghar. Lekin na car se payal nikal rahi thi. Na ranvijay kuch
Bol pa raha tha na payal

"sir hum a gaye" ashwin bola aur bolte hi Payal aur ranvijay dono ka jaise sammohan toot gaya

"thanks ranvijay, good night" sar jhukate hue payal boli aur dheere se car ka gate khol diya aur dheere dheere apna lat kaano ke peeche karke chali gayi

"sir wo gayi" kareeb 10 minute tak statue bane ranvijay ko ashwin ne kaha

"to kya hua hamare VP ko itna bhi haq nahi hai kya???" Paul bola ashwin se
Wafadari koi Paul se seekhe. Ashwin jaanta tha ki paul, Chris aur kai log Jaan de denge ranvijay ke liye
Wo khud bhi shayad apni Jaan de de aise aadmi ke liye jo staff se jitna bhi kharab behave karta ho.
Apne staff ke liye khada bhi hota hai.

"chalo ashwin. Itna kyun has rahe ho. Sab ke sab idiots" ranvijay bola aur Paul aur ashwin ne apna muh dabaya aur hasne lage
Car hotel ki aur chal padi

Payal ne ghar me pair rakhte hi fresh hokar apne headphones se gaane sunne lagi

Achanak kisi ne uska Headphone kaan se kisi ne hata diya. Aur wo koun hai dekhne ke liye jaise hi mudi waha dadi khadi thi

"iff dadi aap bhi" payal ne apne phone se gaana band kiya

"kaisa raha trip" dadi ne poocha muskurate hue

"kya trip dadi wo to sirf kaam me hi laga rehta hai, pata hai sirf boil khana khata hai. Kaali coffee bina chini ke waaaakk, subah dawai, shaam ko dawai aur raat ko dawai. Uff dadi aur uske tevar jaise poori duniya uski ho, aur pata hai is society ko 50 lakh ka donation diya hai, dadi wo jo... "payal ka bolna ruk gaya jab usne dadi ko haste hue dekha

" ha ha ha ha ha... Oh ha ha "dadi lot pot ho rahi thi haste haste

" kya dadi maine itna kuch kaha aur aap meri mazak bana rahi ho"payal ne dadi ke god me sar rakhkar kaha aur pata hi nahi chala ki kab so gayi wo. Journey ki thakan thi oopar se

"Pagal ladki, jis ladke se Nafrat karti thi wahi dil me utarne laga hai tere. Lekin tu ye manegi nahi kyunki ranvijay ki tarah tera aham tere aage aayega beta. Lekin maine hamesha se yahi Jaana Hai, bhagwan jo karta hai ache ke liye karta hai" dadi ne payal ke sar par haath ferte hue kaha

Aane wale din is bachchi ko pariksha debi hogi, kya payal itni strong hai sab khelne ke liya???
He bhagwan is bachchi ki madad karne
Sote hue payal ke sar par haath ferte hue dadi boli[/color]
 
[color=rgb(85,]VARDHAN INDUSTRY
vijay conference me tha aur board of directors ki meeting me sab khush the, Ranvijay ka gungaan ho raha tha aur uske kisse sunaye ja rahe the

"sir Victor Frame ko jis oonchai par le gaya aapka bhai wo aur koi nahi le ja sakta" ek director bola

"saturn Corp ki bolti band kar di hai usne" doosra bola aur thahake goonj uthe charo aur

"sir suna hai Victor frame ne jo deal kiya tha udreams ke saath usme do tv channels bhi Saath a raha hai. Mujhe lagta hai victor frame ko hi manage karne dijiye ye channels kya pata kal ho hum broadcasting me apna haath aazma le" ek director bola
Aur sabne Haan me jawab diya

"gentlemen mere khayal se hum mudde se bhag rahe hai, shivraj ko tackle karna hoga aur wo kaise karenge is par baat honi hai" vijay bola

"sir kyun na ise bhi ranvijay ke Victor dreams ko de diya jaay?? I'm sure he will come up with better ideas" pehla director bola

Inse baat karna hi bekar hai, poora responsible ranvijay par daalna chahte hai. Lekin isse ranvijay aur door hota jayega social life se

"we will discuss in next meeting" bol ranvijay uth khada hua aur conference room se bahar nikla. Aaj ka poora meeting sirf Victor frame ko lekar tha. Ranvijay apno se door hota ja raha hai, sirf ek machine bankar reh gaya hai. Kuch to karna hoga. Lekin kya???

"sir" vijay ne peeche mudkar dekha. Uska secretary daudkar aaya

"sir aapne jo ladki ko dhoonde ke liye bola tha wo shayad India me hai" secretary bola

"shayad ka kya matlab??" vijay ne poocha

"sir aapne na Naam diya na Address, na aapko uska number pata hai, na uska age malum hai na uska ek photo tak hai. Sirf college yaad hai, usi ke through bas itna mil paya hai

Vijay halka sa excite hue, something is better than nothing wali baat ho gayi. Lekin itna sa clue?? Bas???

Tabhi uska phone bajne laga

"hello??" vijay ne phone uthaya to doosri aur chuppi thi

"bhaiyya....... Maine shadi kar liya hai aur aapko aana hai mai address bhej deta hoon"

SLAM

vijay ka phone abhi bhi uske kaano me tha?? Ranvijay?? Shadi?? Kaise?? Kab??? Kahan??? Kyun???

Sawal zyada hote ja rahe the aur jawab sirf waha jakar mil sakta tha

"kya hua sir??" secretary ne poocha

"ummm..... Book my flights to India as soon as possible" bol Vijay apne ghar ki aur chal pada

----------------------------------------------------------------------
Roma ne jab darwaze ko dekha to pata chala khula tha
Ander aate hi usne jai ko chair me baithe paya
Tabiyat to thik hai na?? Hamesha khush aur chahakne wala jai aaj chup kyun hai?? Paise khatam ho gaye???

"jai kya hua?? Aise chupchap kyun ho??" roma ne poocha to jai jaise jaag gaya aur uthkar khada ho gaya

"are roma kab aayi??" jai ne roma ko dekhte hue kaha

"kya hua jai?? Aise chup kyun ho tum??" roma ne poocha
Ek night college me admission me help karwa kar jai ne roma ko ek job dilwane me Bhi help kar di hai

"bas roma, waise kaise raha aaj ka din??" jai ne safai se taal diya topic ko

"jai mai kuch poocha rahi hoon" roma ne fir poocha.
Agar zyada nahi to ek choti si dosti type ho gayi thi si ladke se aur pata nahi kyun murjhaya hua jai zyada acha nahi lagta

"roma.... M mere bhai ne shaadi kar li hai aur mujhe bulaya hai" jai bola

"are?? Ye to khushi ki baat hai jai fir itne udaas kyun ho yaar?? Khub enjoy karenge aur masti karenge shaadi me mai aur..." bolte bolte ruk gayi roma
Zyada sapne dekhne lag gayi thi. Bhool gayi thi kya thi wo
Un jaiso ke liye nahi hai shaadi ya kisi aise parivarik samaroho me hissa lena

" tum jaogi roma?? Mere Saath?? "jai ki aankhen achanak chamak uthi

" m mai k kaise j ja sakti hoon jai.... M mai to... "iske aage nahi Keh saki roma, kya kehti wo, ki apna jism beche wali aurat hai wo??

" nahi sach kya tum aaogi?? "jai ne poocha

"mai kya karungi waha jakar. Lekin tum jao jai,family comes first" roma boli

"family" jai jaise khud se baat karne laga tha. Family kya hota hai pata hi nahi tha use. Kab maa chali gayi, papa ka Pyaar mila hi nahi, vijay bhaiyya business me busy the aur ranvijay bhaiyya ek baar mental hospital se nikalkar do saal dhruv bhaiyya ke saath reh kar jaise poora badal gaye
Kaisi family?? Koun si family?? India aane ke baad is ladki ke saath room share karne par pata chala dosti kya hai, caring karna kya hota hai aur paiso ke aage bhi ek dunia hai

"kya hua jai??" roma ne poocha

"kuch nahi roma, lekin agar tum jaogi to mai bhi nahi jaunga" jai bola

Roma kuch der ke liye tuk tuk dekhne lagi jai ko, itni importance kyun de raha hai ek kothe wali ko?? Lekin agar jai ko uski asliyat pata chalega to??? Nahi nahi jai se dosti nahi tod sakti wo

"kya hua kuch kaha nahi tumne" jai bola

"thik hai jai, mai chalungi. Lekin aaj khana banane me help karni hogi" romi haste hue boli

"OK done mai packing karta hoon" jai bola

"mai chai banakar lati hoon" bol muskurate hue roma kitchen ki aur chalne lagi

Lekin jaate hue ek baar Palatka jai ki sur dekha usne, agar jai ko asliyat pata chalu to kya uske saath dosti nibhayega??
----------------------------------------------------------------------
"sahab sahab chote baba ka phone hai" brijesh ne phone Mr vardhan ke haathon me rakhte hue kaha

"kya kehna hai use" Mr vardhan bole

"sahab chote baba hai" brijesh ne fir kaha

"pata hai, kya kehna hai use" Mr vardhan ne apne wheel chair ko garden se ghar ki aur mod diya

"Keh rahe the shaadi kar ki" brijesh bola

"good for him phone rakho" Mr vardhan bole

"nahi sahab aaj nahi, aaj khushi ka din hai. Kai saalo ke baad he ghar fir sajega, mehmaan ayenge aur khushi wapas aayegi" brijesh ne apne aankhon ko poochte hue bola
Poori zindagi bita di brijesh ne is ghar me. Bachpan me khilaya tha vijay, Ranvijay aur jai ko
Aise nahi dekh sakta tha is ghar ko jo sahab aur madam be sajaya tha

"thik hai phone do" Mr vardhan bola

"hello??" Mr vardhan bole

"papa mai shaadi kar chuka hoon reception me aana hoga aapko" ranvijay bola

"hmm ab kisko barbaad karoge beta??" Mr vardhan bole

"matlab??" ranvijay ne poocha

"kitno to bhikari bana chuke ho, kitni ne tumhare wajah se suicide tak kar diya, kisi ki industry khatam karke chain se nahi baithe, use aur pressure dete ho taki wo itna majboor ho jaaye ki ya fir toot kar depression me chala jaye ya suicide hi kar le" Mr vardhan bole

"maine ye sab ke liye phone nahi kiya tha papa" ranvijay bola

"mai aunga, lekin sirf apni bahu ke liye tumhare liye nahi" bol phone rakh diya Mr vardhan ne[/color]
 
[color=rgb(85,]"kya baat hai kya baat hai poori taiyyari ho chuki hai" shubham apna wheel chair lekar ghar me ghuste hue bola

"are shubham beta??" ranjana boli

"Haan bua ji, socha mai bhi kuch haath bata doon" shubham bola

"kyun nahi beta, waise dekh le teri didi kahin mile to kitna kaam hai aur wo laadli fir nikli hai kahin" ranjana gusse se boli

Shubham has diya, bachpan se dekhta aaya hai Payal ko. Kisi ka Dard uska apna Dard ho Jaata Hai, kisi ka problem uska apna problem
Har kisi ko Saath lekar chalti hai, har kisi ko chutkiyon me apna bana leti hai. Iske liye use kam maar daant nahi padi bachpan me, lekin payal ko koun rok sakta tha.

"waise beta ye to bata ki sumedha aur harshit ki shaadi ka kya hua??" dadi boli is baar

"pata nahi dadi waise mai ek kaam karta hoon aapke Saath laddoo banane me haath batata hoon"shubham bola aur wheel chair se neeche utarkar laddo banane me lag gaya

" maa bhook lagi hai yaar khana laga do"payal apna helmet nikalte hue boli

"payal didi??" shubham ne payal ko dekhkar haste hue bulaya

"are shubham kab aaya??" payal shubham ke saath aakar baith gayi

"Arr abhi tum vardhan family ki bahu ho madam, thodi aadat daal lo ameeri ki" shubham mazakiya andaz me bola

"rayees mai nahi mere hone wala husband hai shubham, mai to ek simple si ladki hoon paiso se mai kya karungi, mujhe to bas..." payal bolte hue ruk gayi

Shubham samajh gaya tha kehna chahti thi payal
Apne ghar ko bachane ke liye shaadi ki thi is ladki ne
Pagli to use pyaar ka baithi thi jo khud paiso ki wajah se sumedha se Shaadi kar raha hai

"waise jo bhi bolo didi jijaji bohut handsome hai" shubham ne topic change kiya

----------------------------------------------------------------------
Ranvijay apne kamre me baitha hus tha

"sir phone hai heeralal Seth ka" ashwin ne ranvijay ko phone pakdaya

"bolo heeralal" ranvijay bola

"Mr ranvijay aap aisa kyun kar rahe hai??" doosri aur se Mr heeralal bole

"mai kya kar raha hoon??" apne black coffee se chuski lete hue poocha

"aap ne hamare Saare business contact ko hamse business karne se mana kar diya Mr ranvijay" heeralal bola

"to??" ranvijay bola

"to koi bhi hamse business karna nahi chahta, agar ab hame fund nahi mila to hum khatam ho jayenge" heeralal bola

"fund milega lekin mujhe aapke shares chahiye 70 percent, apne board of directors se bole aur fir call kare" ranvijay ne phone Kaat diya

"sir mere khayal se hame shaadi me focus karna chahiye" ashwin bola

"tumhe malum hai ashwin maine Haan kyun kaha shaadi ke liye" ranvijay bola

"pata hai sir, lekin fir bhi atleast logo ko dikhane ke liye to kijiye please aapke family members bhi a rahe hai" ashwin bola

"ok fine, aur kuch??" ranvijay irritate hote hue bola

"Haan Dr Nambiar ka appointment hai kal" ashwin bola

"can't we avoid it??" ranvijay bola

"no we can't. Vijay sir ke strict instfuction hai, waise bhi bas regular check up hai. Aur by law ye aapke liye sahi rahega" ashwin bola

Ranvijay bina koi jawab diye uthkar chala gaya khidki ke Paas. Ashwin ne apna sar jhuka liya
Pata nahi aur kitna jhelna padega is Insaan ko. He bhagwan sab kuch thik kar de pleaese
Ashwin dua hi kar sakta tha
----------------------------------------------------------------------
"waiter ek drink aur lao" harshit bola

"harshit please bohut ho chuka hai, wapas chalte hai" sumedha boli
Restaurant khali ho gaya tha. Shayad band hone wala tha

"sir restaurant is closed now, ye raha aapka cheque" Waiter ne bill harshit ke Saamne rakha

"bloody waiter ye Bill lakar kya dikhana chahta hai ki meri aukat nahi hai peene ki??" harshit ne Waite ka collar pakadkar bola

"harshit please tamasha mat karo chalo chalte hai" sumedha boli

"hato" Harshit ne apne haath se sumedha ka haath jhatak diya aur Waiter ka collar pakad kar maarne ha raha tha ki uska haath manager ne pakad liya

"sir please hame force mat kijiye" manager bola

"to hell with you" bol harshit ne dhakka de diya manager aur waiter ko

"SECURITY" manager ke chillate hi kuch security guard waha pohuch gaye aur harshit ko maarne lage

"please please kuch mat kijiye inhe, mai bill pay kar deti hoon" bol sumedha ne paise diye aur guards ne harshit ko dhakka maarkar bahar kiya

"tum thik to ho na??" harshit ko uthte hue Sumedha boli

"mujhe akela chod do kuch der ke liye" harshit bola

"lekin kyun harshit" sumedha boli

"maine kaha na jao" harshit chillate hue bola to sumedha nikal gayi waha se

Tabhi ek call aya harshit ko. Unknown number se tha

"hello??" harshit ne phone uthaya

"hi Mr harshit I'm shivraj vardhan" doosri aur se awaz aayi[/color]
 
[color=rgb(184,]"koun shivraj??" harshit ne poocha

"are koun shivraj kaisa shivraj jaakar kya karoge barkhurdar??" shivraj bola

"kya chahte ho tum??" harshit phone par bola

"tum kya chahte ho harshit??" shivraj bola

"ji??" harshit ne poocha

"sirf insult hi insult hoye ja rahe ho,to aage kuch karne ka irada bhi hai ya insult hote rahoge??" shivraj bola

"h Haan mai bhi sab ka hisab loonga" harshit bola

"to fir taiyyar raho ek bada mauka aane wala hai Saamne" shivraj bola

"mai hamesha se taiyyar hoon shivraj ji" harshit bola
Phone kat gaya. Lekin harshit ka chehra Nafrat se bhar gaya

"payal itna pyaar karne ke bawajood tune us ranvijay se Shaadi karne ki sochi, ab dekh kaise tere sapne ko todta hoon mai" harshit ne phone rakh diya

-------------------------------------------------------------------
Aaj fathers day tha aur isliye ashmita apne bete rishi ko lekar nahi gayi thi uske school chodne
Royega aur zid karega ki papa ko la do isliye rishi ko bas school ki gali tak chhodkar a gayi ashmita

Rishi apne school bag lekar school ki aur Jaane hi wala hota hai ki school ke gate ke Saamne Saare bachhe apne papa ke saath school aaye the
Bas wahi akela ja raha tha. Uske aankhon me aansu a gaye the

CREEEEEENCCCCHHHHHHH

Teen Gaadi ek saath a rahi thi aur usme se do log ek cat se nikle aur rishi ki taraf aaye

"hey kid are you blind??" ek aadmi bola

"can't you see??" doosra chillaya

Rishi se ab aur nahi saha gaya aur wo rone laga

"kya hua??"vijay ne newspaper se apni aankhen hatai
Aaj hi India land kiya tha wo aur kuch din baad uske bhai ranvijay ki shaadi thi.

" sir ek bachha beech raaste me ro raha hai"front seat par uske staff ne kaha

"kyun??" vijay ne Bachchon jaisa sawal kiya jiska uske staff ke Paas koi jawab nahi tha

Kisi ke jawab ka wait kiye bina vijay Gaadi se utra aur rishi ke Paas gaya aur baith gaya

"kya Naam hai aapka??" vijay ne rishi ke gaal ko thapka kar bola

"rishi" rote hue rishi bola

"OK rishi aap ro mat please" vijay ke pyaar ke do bol rishi ko aur rulane lage

"OK ok agar aap rona band karoge to jo bologe wo mai karunga" vijay bola

Rishi ne rona band kiya aur vijay ki aur dekha, uncle bohut ache hai.

"uncle kya aap mere papa banenge??" rishi bola

"hosh me a bachhe kya bakwas kar raha hai" vijay ka staff rishi ki aur a raha tha ki vijay ne rok diya

"acha agar mai aapka papa banta hoon to aap kya karna chahoge apne papa ke saath??" vijay ne poocha

"ice cream kahunga, pizza kahunga, milkshake piunga, aur.... Ummm" rishi sochne laga

Vijay ko hasi a gayi, bohut dino baad itna acha laga tha use

"acha chalo, aaj ke liye hum aapke papa ban jaate hai ok, lekin ye sirf hum dono me secret rahega" Vijay ke bolte hi rishi has diya

Vijay ne rishi ko apne Gaadi me bithaya aur rishi ko maza aane laga

Gaadi kuch der baad ek hotel ke Saamne ruki aur vijay us ladke ka haath pakadkar restaurant me le aaya

"wow itna bada hai" rishi ne vijay ka haath sakhti se pakad liya

Vijay haath pakad kar rishi ko ek table ke Paas le gaya jahan rishi ne dekha ek khoosat sa aadmi baitha hai

"itna late??" ranvijay ne bole se aankhein bina bataye poocha

"flight late ho gaya" bol vijay ranvijay ko gale milne ke liye aage badha
Haste hue ranvijay ne bhi gale lagane ke liye aage badha lekin ruk gaya rishi ko dekhkar

"ye koun hai??" ranvijay ne poocha

"hai na pyara??" vijay bola to rishi Muskuraya lekin ranvijay waise hi khada raha
Rishi ki muskurahat gayab ho gayi

"acha rishi aap kya khaoge us uncle ko bol do" vijay ne waiter ko ishare se bulaya aur rishi ne lagbhag sab kuch order de diya

"arey sir ye sab bohut zyada hai" waiter bola

"tumhe KY?? Tum wahi karo jo kaha gaya" ranvijay bola
Aur waiter bhag gaya..

Vijay ne ranvijay ko dekha, abhi bhi waise ka waise hi hai koi change nahi[/color]
 
[color=rgb(85,]"hi uncle" rishi ne muskurate hue apna haath aage badhaya to Ranvijay ko dekhkar fir chup ho gaya

"kaam ki baat kare?? I don't understand why are we still doing business with heeralal" ranvijay mudde par a gaya

"come on ranvijay kaam baad me, pehle ye bata ki shaadi ki taiyyari hui ya Baaki hai" vijay bola

"Haan ho gayi hai, ashwin aur Chris dekh raha hai" ranvijay bola

"ranvijay ashwin tumhara secretary hai aur Chris... Wo angrez kya Jaane Kya karna hai kya nahi Indian shadi me??" vijay bola

"OK ok mai khud bhi dekh raha hoon bhaiyya ab mudde ki baat kare??" ranvijay bola

"kal, aaj mujhe rest katna hai. Jet lag ho gaya hai.... Wait ek minute" bol Vijay ne apne pocket se do ticket nikale

"ye kya hai??" ranvijay ne poocha

"tickets hai Amusement park me Jaane ke liye" vijay bola

"cool ghoom aao, thoda stress hat jayega" ranvijay apna bag samet kar bola

"ranvijay ye tumhare aur ghar ki bahu ke liye hai. Mere dost ne gift kiya tha. Socha ki tum logo ko gift kar doon. Ghoom aao" vijay bola

"kya?? Kabhi nahi" ranvijay akad kar bola

"kabhi kabhi apne rishte mazboot karne padte hai ranvijay, khair agar tum nahi chahte to mai kisi romantic couple ko de deta hoon" bol vijay Jaane laga

"ok ok de dijiye, aap bhi yaar bol ranvijay ne vijay se tickets le liya

" uncle amusement park?? "rishi ab tak chup hokar Pizza kha raha tha park ka Naam sunte hi uchal pada

" Haan, kyun tumhe bhi Jaana Hai kya?? "vijay ne rishi se poocha

" Haan, lekin mummy manegi?? "excited hokar rishi bola

" ok hum tumhari mummy se permission le lenge"vijay bola

"sach??" rishi ab sachmuch excited tha

"Haan" vijay bola

"yaayyyyyyhhh" rishi jhoom utha aur vijay hasne laga aur uski nazar ranvijay par gayi
Zyada khush nahi tha rishi ko le Jaane ke liye

"chal mai chalta hoon is chotu ko uske ghar chodne" vijay bola aur ranvijay se gale milkar rishi ko uske ghar le aaya

Vijay car se utarkar jab rishi ko ghar ke Paas le gaya ashmita ghar ke bahar baithi hui thi

"maa" bol rishi daud kar apne mummy ke Paas gaya

"kahan tha rishi?? Kahan tha tu?? Kitna pareshan hui jab pata chala ki school nahi aaya tu?? Kitne phone liye yahan wahan??" ashmita apne bete ko daant rahi thi aur rishi ki aankhen chalak rahi thi

Vijay Jaane ko hota hai ki ye sab dekh usse raha nahi jaata

" bachhe ko daantiye mat, ye mere Saath tha"vijay ashmita ke Paas jaate hue bola

"aap...." ashmita ne vijay ko Dekh kar kaha

"ji..." vijay bola aur dheere dheere poori story suna di ki kaise rishi takraya tha

"oh ab samjhi, is bewkoof ke liye sorry. Aapko pareshani hui na" ashmita boli

"nahi aisi koi baat nahi hai" vijay haste hue bola

"mummy mummy uncle ko hamare ghar me bulao na please" rishi ne ashmita ka haath pakadkar bola

Ashmita duvidha me fans gayi thi jise vijay samajh chuka tha

"acha mai chalta hoon. Namaste, bye beta" bol vijay sone Gaadi ki aur badhne laga ki rishi ne use pakad liya

"nahi nahi aapko hamare ghar chalna padega" rishi bola aur vijay ka haath pakadkar apne ghar ki aur le gaya
Ashmita rokne ja rahi thi lekin kuch kar na paayi

Vijay sur ashmita dono bebas the

"m mai chai banati hoon" is situation se nikalne ke liye ashmita to yahi mila

Vijay muskura diya. Ek simple sa room
With simple se basic items
Lekin pata nahi kyun vijay ko aaj saalon baad family wali feeling a rahi thi
----------------------------------------------------------------------
KNOCK KNOCK

Kya kar raha hai, kyun kar raha hai. Ranvijay ke palle nahi pad rahi thi kuch bhi
Shaam ko hi payal ke ghar aana tha use

"tum???" darwaza kholte hi payal shocked ho gayi

Shayad khana bana rahi thi. Aata laga hua tha haathon me aur bun bana rakha tha sar par
Lekin ek lat aankhon par a raha tha
Kamal ki khoobsoorat lag rahi thi wo

"wo mai.... Ahem.... Vijay bhaiyaa a gaye hai aur unhone y ye tickets diye hai hame amusement park ke liye tickets diye hai" ranvijay bola

"vijay bhaiyya ne diye to hai lekin tum enjoy karna jaante bhi ho??" payal je ranvijay ki aur dekhkar poocha

"kya??" ranvijay ne chaunkte hue poocha

"Haan sahi suna, tum bohut boring ho, khair mai to enjoy karungi."payal boli

" mai chalta hoon"ranvijay bola aur Jaane laga lekin tab tak daadi a chuki thi

"kal jaoge to aaj khana to kha lene do" dadi boli

"arey dadi ye kya khata hai aapko pata nahi" payal boli

"tu chup kar, aao beta zyada kuch to nahi lekin aaj roti aur paneer bani hai" dadi boli

Paneer ki khushboo a rahi thi Ander se aur zyada der na karte hue ranvijay Ander chala gaya
Aaj saalon baad paneer aayegi uske hisse me

Payal ne ranvijay ko dekha, jaise khane ke liye betaab hua ja raha hai poori duniya ko nachane wala insan[/color]
 
[color=rgb(184,]"ye sab kya hai ashwin" ranvijay ne ashwin ki aur dekhkar kaha

"sir yahi aaj ka trend hai, mai kya karta vijay sir ne bhej diya zabardasti" ashwin bola

"mai ye sab nahi pehen kar Jaane wala" ranvijay bola

T shirt aur jeans tha bags me aur ranvijay ko in sab se nafrat thi

"pehen hi lijiye na sir, kya pata payal madam ko acha lage" ashwin bola

"to kya mai payal ko impress karne ke liye pehen kar jaun?" ranvijay chillaya

Sab chup ho gaye lekin ashwin ko jhatka laga tab jab ranvijay ne wo packet le liya ashwin ke haathon se
Jis din se join hua aaj tak t shirt me nahi dekha tha is insan ko
Tuxedo, coat, tie, shirt, waist coat aur trouser me hi din raat hoti thi ranvijay ki

"vijay bhaiyya aur aap sab itna bol rahe hai isliye ye pehen raha hoon" bol ranvijay t shirt aur jeans pehen kar aaya to
Hakke bakke reh gaye sab

Koi naya insan aaya hai aisa lag raha tha. Ek mast insan jo mauj masti karne wala ho
Lekin aaj bohut khushi ho rahi thi use
Aaj Pehli baar khush lag raha tha ranvijay
Wo baat alag hai ki zahir nahi karega apne muh se

Ranvijay jab Gaadi lekar pohuncha to payal ne aaj apna huliya hi badal diya tha
Western look me thi aaj
Jeans aur t shirt me thi aur dono ek doosre ko dekh hakke bakke reh gaye

"ye kya??" payal ne ranvijay ko dekh kar bola

Ranvijay uncomfortable feel karne laga aur idhar udhar dekhne laga ki fitting thik hai bhi ya nahi kapdon ki

"are baba ache lag rahe ho, pehente kyun nahi aise kapde?? Btw koun hai ye bachha" payal ne poocha

Ranvijay ke saath ek bacche ko dekhkar boli payal
Rishi payal ko dekh peeche ho gaya
Ek to ye khusat uncle upar se ye aunty bhi...

"wow great, kya Naam hai aapka??" payal ne poocha

"rishi" dheeme se jawab diya rishi ne

"kitna cute Naam hai, to chalo we will have lots of fun today, give me a high five" payal ke itna bolte hi rishi ki jhikhak chali gayi aur apne haathon se usne payal ke haath ko hi five dekar khush hua

"ab chalein nautanki bohut ho gayi" ranvijay impatient ho raha tha.
Kahan socha tha ki payal ke saath Waqt bitayega aur kahan ye kabab me haddi a gaya

"arey?? Aise kyun react kar rahe ho, time hi kitna hua hai?? Sirf 8 baje hai. Park khulta hi 9:30 hai" payal boli

"fir itni jaldi kyun bulaya mujhe??" ranvijay ne poocha

"kyunki hum bus me Jaane wale hai isliye" payal boli

B bus?? Ranvijay ko achanak chota sa heart attack aaya, bus......

"kyun?? Acha thik hai tum waise bhi bus me nahi ja paoge, tum rishi ko apne Saath car me le jao mai bus me jaungi" payal boli

"aunty mai bhi aapke Saath jaunga" rishi bola
Koun aana chahega is adiyal insan ke saath rishi ne socha

"ahem.... Mai... Bhi bus me jaunga" ranvijay bola

"Pagal me bano, bus me jana kya hota hai wo bhi India me tumhe pata nahi hai ranvijay, bheed hoti hai. Smell hota hai. Problem hogi" payal boli

"nahi mai bus me hi jaunga" ranvijay ne bina confidence aur bina attitude ke bola
Aur payal samajh gayi ki ab use hi jhelna hoga situation ko

Bus a gayi aur jo bheed dekhi ranvijay ne uske maathe se pasina nikal gaya
Baap re ye to poora congested hai

"chalo aao" payal boli

"n next bus me chale" ranvijay bola

"next bus ke aate aate ek ghanta aur. Aur wo bhi aise hi full aayegi. Chalo" bol payal ne ranvijay ko apne Saath bus ke Ander le gayi
Rishi in sab ka aadi tha, ek middle class se aaya hua bachha achi tarah se jaanta tha bus me Chadna utarna

Bus me dhakka mukki dete hue ranvijay aage badha to bus chal padi
Lekin fir break lagne ki wajah se ranvijay ka balance bigad gaya aur wo ek mahila ke upar gir gaya

"koun hai besharam" bol mahila ne peeche mudkar dekha to Ranvijay ko dekh khush ho gayi

"koi baat nahi tum yahan haath rakh kar khade ho jao, bus me aaj bohut bheed hai" bol us mahila ne ranvijay ka haath apne Saree ko hatakar apne kamar se touch karwakae bus ke handle ko pakadwa hi rahi thi ki Ranvijay ka haath payal ne pakad liya aur wahan se use lekar apne Saamne le aayi

"ab yahin khade raho" payal ukhre hue awaz me boli
Sab ke sab ladke tharki hi hote hai

Ab payal ko koun samjhaye ki Ranvijay ko ulti a rahi thi, pasine ki gandh aur pollution oopar se jam packed bus
Uff

"bas hum phunchne hi wale hai ranvijay" payal boli aur ranvijay ko dekhne lagi
Bohut bura haal tha ranvijay ka

Tabhi bus ruk gayi aur ranvijay ne utarkar kuch rahat mehsoos ki

"aunty hum a gaye" rishi bola aur park ki aur chala payal ka haath pakad kar aage badh gaya aur ranvijay seedha ticket counter ki aur gaya

"are Mr ranvijay??aap ka hi wait kar rahe the sir, sir ka call aaya tha. Bola tha ki aapki achi dekh rekh kare" amusement park ka manager bola

"nahi, mai just as a regular visit karna chahta hoon. Aur ye rahi tickets" ranvijay ne apna tickets manager ko de diya

"are tickets ki koi zaroorat nahi thi sir, jaisa Maine kaha. Hame pehle hi bata diya gaya tha aap a rahe hai, akele aaye hain??" manager ne poocha

"nahi...... Family ke saath aaya hoon" ranvijay ne payal aur rishi ki aur dekhkar bola
----------------------------------------------------------------------
TRING TRING

Meera ka phone baj raha tha lekin wo apne computer me busy thi

TRING TRING

Fir se phone baja aur is baar meera ne phone uthaya

"namaste madam ji, kaam hote hi logo ki yaad kam aane lagti hai" heeralal tha aur awaz sunte hi pehchaan gayi tho

"kaisi hai madam ji" heeralal bola

"bas aap sunaiye" meera boli

"ranvijay peeche pada hua hai hamare, lagbhag barbaad kar chuka hai hame bas Waqt ki baat hai kab hame kharid lega pata bhi nahi chalega" heeralal bola

"to?? Ye sab mujhe kyun bata rahe hai heeralal hi??" meera ne poocha

"zaroori samjha batana. Ek time tha jab hum aapke liye important ho gaye the meera ji. Aaj aapko zaroorat nahi hai isliye hame hata rahi hai?? Agar hum barbaad hue to sab kuch ugal denge ranvijay ko" bol heeralal je phone Kaat diya

Meera sunn ho gayi sunkar
Pagal khane se wapas aane ke baad usne socha tha ki Ranvijay waisi shakshiyat nahi rakhega jaisa pehle rakhta tha lekin ye to ulta ho gaya
Sunne me aaya tha ki Victor frame ko Vijay chala raha hai lekin ab kumar ki baat sach nikli
Ranvijay hi chala raha hai Victor frame ko
Heeralal ke baad shayad un sabhi ko barbaad karega jo uske Saath the

Meera ko kuch karna hoga
Kuch to zaroor karna hoga[/color]
 
[color=rgb(184,]Ranvijay, payal aur rishi jaise hi park me ghuse payal ne mehsoos kiya ki Ranvijay rishi ko Saath laane ki wajah se khush nahi hai

"aunty aunty dekhiye fish aquarium" rishi ne payal ka haath pakadkar aquarium ki aur dekhkar kaha to payal ke kuch bolne se pehle hi rishi ne payal ka haath pakadkar aquarium ki aur lekar chala gaya

"wow ye ye koun si fish hai aunty??" rishi ne poocha to payal ghabra gayi
Ye sab uske sar ke oopar hai use kya pata ki koun si fish hai ye??
Kambakt kuch description bhi nahi diya hua hai

"ye ek type ki sting ray hai" ye awaz ranvijay ki thi
Rishi aur payal chaunk kar ranvijay ki aur dekha

"ye sab to kuch nahi. Agar aur kuch poochna ho to befikr poocha sakte ho" ranvijay bola

"wow inhe itna kaise pata hai??" rishi hairan tha

"mai bhi wahi soch rahi hoon" payal boli

Ranvijay khush hua, bohut khush. Shayad itna khush bohut dino baad hua tha
Ek bright student ranvijay vardhan ki yaad a gayi use
Acedemics me top Rehne wala hua karta tha ranvijay
Koi khada bhi nahi ho sakta tha uske saamne

"wah kya jodi hai dono ki" ek vridh couple ne payal ko dekhkar bola

"are uncle aunty aap log??" payal ne namaste karke poocha

"bas yahi sab dekh rahe the, warna amusement park Me hamara kya kaam" vridh jode ne haskar bola

"tum log thodi door jakar sea seals dekho naya attraction hai" bol dono chale gaye

"chalo ranvijay" bol payal ne ranvijay ka haath pakda aur rishi ko Saath lekar chal padi sea seals ko dekhne

Family.....

Shayad yahi hota hai. Jo sabse zyada close hota hai
Aur family ke Naam par ghar me ab sirf sannata hai
Wo bhi bas us aurat ki wajah se

"kidhar kho gaye" payal ne haste hue poocha

"kuch nahi" ranvijay bola

"Sea seals ko bhi ranvijay ko dekh kar itni ghabrahat hui ko sab ke sab dubak gaye koi bahar a hi nahi raha" payal ne rishi ko bola to wo gussail ranvijay ko dekhkar hasne laga

Lekin is baat par ranvijay ka gussa gayab ho gaya aur wo bhi muskurane laga
Tabhi uska call aaya aur wo busy ho gaya

Tabhi payal ke kandhe par ek haath rakha kisi ne

"payal??"

"are??? Sandhya??" payal bohut khush hui aur achanak ek shaks ko dekh kar halki si hairan bhi hui

"cherian yaad hai na?? Ab hum Mr and Mrs cherian ho gaye hai" sandhya haskar boli

Payal muskurati, school days me crush hua karta tha cherian. Lekin fir school khatam hote hi engineering karne chala gaya
Baad me pata chala ki sandhya se Shaadi ho gayi hai uski

"chalein??" ranvijay ke aate hi cherian aur sandhya dono muskura uthe

"wow tu bhi settle ho hi gayi aakhirkar, nice choice. Kaafi chikna hai tera hubby" sandhya boli to sab has pade aur payal bhi muskura uthi

"OK reunion karte hai chal, apna. Number de" sandhya boli to payal ne apna number de diya aur sandhya chal padi cherian ke saath

Khub enjoyment hui. Kuch log mile aur ranvijay ke saath payal aur rishi wapas a gaye

"ranvijay??" vijay ke awaz ne hilakad rakh diya ranvijay ko

Vijay aise dekh raha tha kaise bhoot dekh liya ho
Jeans aur t shirt me tha ranvijay aur ek haath me kuch balloons bhi the
Vijay ko dekh fat se balloons chod diye usne aur wo hawa me Udkar gayab ho gayi

"w wo mai chalta hoon" bol bina kuch sune bina kuch dekhe chala gaya ranvijay

"sorry bhaiyya lagta hai sharma raha hai" payal boli to vijay ne payal ko dekha
Ek simple si ladki lekin simple hone ke bawajood ordinary nahi thi payal. Apne astitwa ka ehsas kara rahi thi
Vijay ko izzat bhi de rahi thi aur ye bhi bata rahi thi ki wo ranvijay se kisi bhi tarah paiso ki wajah se Shaadi me nahi fansi hai

"bohut suna tha tumhare baare me payal. Jitna suna tha usse badhkar paaya" vijay bola

"aur maine bhi suna hai ki Ranvijay jitna adiyal hai aap itna hi achhe ho bhaiyya" payal boli fir apna sar jhuka liya

"ha ha ha.by the way thanks payal" vijay rishi ka haath pakdte hue haskar bola

"bye champ" payal ne rishi ko bye bola aur vijay use lekar chala gaya

Saamne Park me ranvijay baitha hua tha. Shaam se raat hone ko aayi thi

Ek jhoole me baith gayi payal. Ranvijay ne dekha aur wahan chala gaya aur jhoola jhulane laga

"are ye kya kar rahe ho??" payal ghabra kar boli

Ranvijay kuch nahi bola aur muskurate hue jhoola jhoolane laga

Payal ne aankhen band karke jhoole ka maza lene lagi
Kabhi Kabhi bina kuch bole sab kuch Keh diya Jaata hai
Aaj is dhalti shaam me so dil shayad ek hone ke kareeb a rahe the
----------------------------------------------------------------------
Meera aaj chupchaap thi
Kuch karne ka man nahi tha aaj

"kya hua meera. Aaj itna gumsum hokar kyun baithi ho??" bhushan ne poocha

"bhushan kya hamne jo kiya tha wo sahi tha??" meera bol uthi

"kya matlab??" bhushan ne poocha

"matlab ye ki kya humne jo school ke. Last year me kiya tha wo sahi th??" meera ke is sawaal ne bhushan ka chehra peela kar diya

"jawab do bhushan" meera boli

"humne tay kiya tha ki is baare me koi baat nahi hogi meera 7 saal ho gaye is baat ko" bhushan bola

"bhushan baat to karni hi padegi, gin ginkar badla le raha hai wo" meera chilla uthi is baar

"wtf meera no insan Pagal khane se chootkar aaya ho, jo thik se baat nahi kar sakta tha, jo ek darpok chooha tha, wo kya itna sab yaad rakh payega??? Wo bhi Pagal hone ke baad??" bhushan bola

"I don't know bhushan meri company ki usne band bajakar rakhi hui hai, ab sirf company bachane ki sochni pad rahi hai. Yaad hai so saal tak mai thi entrepreneur of the year. Use usne mujhse cheen liya aur teen bar le gaya, young achiever of the award mila tha mujhe use teen baar mila wo. Pehle madman ko humne reject kiya usne wo khareeda aur use aisi buland tak ke gaya ki poocho mat. Fir dekhte hi dekhte 7 brand usne le liye ab udreams bhi le liya usne. Bacha kya mere Paas?? "meera rone lagi thi
Aur ye dukh se nahi ro rahi thi, ye tha darr ke maare rona

BHushan chup hokar dekh raha tha ye sab
Sapne me bhi nahi socha tha ki Ranvijay vardhan meera ka ye haal kar dega[/color]
 

Similar threads

Back
Top