S
StoryPublisher
Guest
9 baje khane ke liye Savi Sunil ko bulane gayi to dekha vo apni kitabon khoya hua tha…….Sunil Khane ke liye aa jao …..fir pad lena aur man hi man soch rahi thi …ki padta rahega to baat kab karungi ….Mini ne ye moka jaan bhuj kar Savi ko diya tha….kyunki padte waqt kisi ko disturb karne ka matlab hota hai aafat mol lena aur kuch aisa hi hua…..
Us waqt Sunil kuch neuro system ki drawings study kar raha tha ….,tandra tutti to vifar pada ….
‘ek raat khana nahi khaunga to mar jaaunga kya…….bana diya hai na lelunga …jab bhookh lage gi now don’t disturb me ‘
Savi to bas dekhti reh gayi ……..aur bhare man se dining table pe aa baithi …
Mini …….saasu maa …aap kha lijiye…devar ji ko main khana garama garam hi khilaungi ..jab bhi free hote hain….Ruby aur Kavita bhi nahi aayi hain…aisa kijiye…aap unka khana kamre mein hi le jayen …ab ek mahine baad exam hai to jayada disturb karna thik bhi to nahi ….MBBS koi majak bhi nahi hai…aap khud doctor hain to samajh hi sakti hain.
‘haan bahu tum thik hi keh rahi ho…Raman ne kha liya?’
‘Ji unko khila ke hi to bahar aati hun..ab to ghode bech ke so rahe hain ……..’
‘aap chaliye main khana le ke aati hun….’
Savi ko Ruby aur Kavita ke pass bhehj ….Mini ne 3 Plates mein khana lagaya aur le gayi …..
Kamre mein ghuss kar…..’nanand raniyon …ab pet puja kar lo …khali pet kya padayi karogi …maa aap bhi inke saath hi kha lijiye ….ab se inko khana main yahin de dungi …taaki inka waqt kam kharab ho…..achcha khan eke baad kisi ko coffee/dhudh /kuch chahiye to bata do’
Ruby….bhabhi aapko takleef na ho to hame to Coffee de do..varna khane ke baad jaldi neend aa jati hai ….
Mini …apni gudiya ke liye takleef kaisi ……mummy aapke liye dudh le aaun …..bahut jaruri hai aapke liye.
Savi …thik hai bahu….
Mini kuch der baad 2 cup coffee aur ek glass special dhudh le ke aa gayi .
Mini ne bartan uthaye …dono ladkiyaan coffee pine lag gayi aur Savi dhudh …kada hua dhudh badam aur kesar mila hua (ek glass garam dhudh …..ek calmpose ki goli ke barabar hota hai gar khane ke baad raat ko liya jaye …lekin Mini ne ek boond kisi sedative ki bhi daal di thi ‘
Coffee pine ke baad ladkiyaan to padne baith gayi par Savi ……tayen tayen fiss neend ke aagosh mein chali gayi
Aur Mini muskurati hui …sare bartan le kitchen mein ralkhne chali gayi .
Jo bartaav Sunil ne Savi se kiya tha …Mini ko bhi dar lagne laga tha …uske kamre mein jane se…kuch der haal mein baith ke sochne lagi …kya karun……..
Kuch der Mini haal mein baithi rahi ……aur fir dhadakte dil se Sunil ke kamre ki taraf bad gayi …
Halke se darwaja khola ……’Sunil coffee loge ya khana…..’
‘hmmm black coffee de do…’
‘ok….raat ho gayi hai…night dress pehn lun….’
Sunil to padne mein khoya hua tha …bas itna hi bola ….hmm
Aur Mini ke chehre pe katilana muskan aa gayi….
Apne kamre mein ja kar Mini ne pehle dress change kari aur fir Sunil ke liye black coffee tayaar kar uske kamre mein chali gayi...
Is me koi do rai nahi ki Mini bahut sundar thi...agar Sonal aur Suman se uski tulna ki jaaye to 20 hi niklegi 19 nahi....
Sunil ki najar jab ab uspe padi to thoda bokhla sa gaya ...uski ankhon ke aage Sonal ka madmata husn aa gaya aur vo tadap ke reh gaya.
'Sunil ...Coffee .....aadhe ghante baad tumhara khana le aaungi....ab na mat karna...main bhi tumhara wait kar rahi hun......aur late khana hai to bata do....'
Mini ne apni najren jhukaye rakhi thi..jaan bhuj kar Sunil se najren nahi mila rahi thi....
Sunil....mujhe jaruri kaam hai ek ghante baad aa jaunga...vahin table pe....'
Mini...thik hai main intezar karungi.....itna keh vo bina Sunil ki taraf dekhe bahar nikal gayi.....
Bhar nikal vo hall mein ja kar baith gayi aur muskurane lagi ....kuch to hua hai devar ji...dekhte hain kab tak khud ko rokoge....
Mini ke jaane ke baad Sunil ne coffee ke do ghunt lagaye aur fir apni kitab mein kho gaya....ye kya.....ab use kitab mein chape harf nahi najar aa rahe the.....har panne mein use Sonal najar aa rahi thi .........nahi pad paya aage.....
Mini ke husn ne use Sonal ki yaad dila di .....aur vo tadapne lag gaya....ek pal Mini samne hoti aur dusre pal Sonal....ghabra gaya vo...aisa uske saath pehle kabhi nahi hua tha....ye kya ho raha hai....kitab vahin chhod vo bathroom mein ghuss gaya aur bina kapde utaare shower ke niche khada ho gaya.....
Sonal...jaldi vapas aao yaar ...vo khud se baat karne laga.
Aadha ghanta vo shower ke niche khada raha....apna dhayaan apne exams ki taraf modne laga....tab kahin ja kar uska dimag shant hua.....aur vo bahar aa kar apna night suit pehn liya....fir haal mein chala gaya aur table pe baith gaya...
Sunil ko aata dekh Mini uth ke kitchen chali gayi aur do plate mein khana le aayi .....
Is waqt Mini bahut serious thi...jaise kuch soch rahi thi...kisi baat se use gehri pida hui thi...chahre pe gam ke badal chaye hue the....
Sunil ne khana shuru kar diya aur jab Mini pe najar padi to pooch hi baitha...
Sunil...kya hua ...why so serious suddenly...
Mini ...rehne do...tum nahi samjhoge ....khana khao aur apni padayi pe dhayaan do....kal kafi time mere saath waste ho jayega tumhara.
Sunil......aage kuch nahi bola...kuch pal Mini ko dekhta raha fir khane lag gaya.....is waqt Sunil ke dimag mein kuch nahi tha...vo vapas apne aap mein pahunch chuka tha.
Mini man hi man muskura rahi thi aur khud ko dad de rahi thi apni acting pe....aakhir Sunil ne usse baat to kari
Khane ke baad Sunil apne kamre mein jane laga to Mini bol baithi...main jag rahi hun....jab bhi Coffee chahiye ho to aavaz de dena
Sunil thoda hairan tha....Savi itni jaldi kaise so gayi aaj ....vo to raat ko baat karne ke liye bol rahi thi...aur ye Mini ko kya ho gaya hai..kyun itni parvah kar rahi hai uski......
Apne bistar pe baith vo dressing table pe rakhi Suman aur Sonal ki photo dekhne laga ......aur apni kismat ko sarhane laga ...uski jindagi mein ye do jo aa gayi thi .....usne Sonal ko phone mila daala.
Sonal...shukra hai janab ko yaad to aayi ...kab se intezar kar rahi thi...khana kha liya.
Sunil ....yaad use kara jaata hai jise bhool jaao...tumdono to mere dil mein mere saath rehti ho...
Sonal...khana khaya ya nahi ....
Sunil ..kha liya yaar
Sonal...kya kar rahe ho...
Sunil ...tum dono ko bahut miss kar raha hun..
Sonal...bhej dun fir didi ko vapas kal....
Sunil...are nahi....ye kaam bhi to jaruri hai
Sonal....missing you very much....ye khali bistar bahut chub raha hai...tumhari banhon ki garmi ki bahut kami mehsus ho rahi hai.
Sunil...apna bhi haal kuch aisa hi hai
Sonal......agar nahi raha gaya to main to conference chhod ke aa jaungi....bhad mein gayi ye nokri ....vaise bhi abhi MD karni hai to kyun ....
Sunil...nahi jaan ye experience...ye knowledge bahut jaruri hai career ke liye...
Sonal....tum ho na...to mujhe kya jarurat is sab ki...main to bas tumhari banhon mein tumhare pass har dam rehna chahti hun.....
Sunil....dad ka sapna nahi poora karogi....
Sonal...bas tum aur dad ka sapna....mere dil ki jo haalat hoti hai tum se door ho kar ..vo kuch nahi...
Sunil...4 din ki to baat hai darling..ek din to gujar bhi gaya....aur kuch paane ke liye kuch to khona hi padta hai
Sonal ....roj raat ko baat karni hogi ...varna agle din aa jaungi...
Sunil .....raat ko kya tum kaho to har ghante baad phone kar lun...lekin vahan tumhara majak ud jaayega ...
Sonal....hai...kash ham har ghante baad baat kar pate...
Sunil...achcha Sumi kahan hai .....
Sonal ...dusre kamre mein...
Sunil...kyun ...dono ek kamre mein kyun nahi ruki...
Sonal...yaar vo faculty ban ke aayi hai ...use suit mila hai
Sunil...to tum uske saath shift ho jaati ....akele kyun chhoda use...
Sonal...didi ne hi kaha tha...aaj ki raat alag alag aur kal mein vahan shift ho jaaungi ....
Sunil..ye kya baat hui....
Sonal...ab didi se pooch lo main unhe kaise mana karti.
Sunil...ok...chal rakhta hun...Sumi se bhi baat kar lun....love you...miss you.
Sonal ...mmmmuuuuaaahhhhhhhh love you.
Sunil phone kat Suman ka phone milata hai.