• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

मांत्रिक -The adventure of Three world's Magic,Romance,Thrill,Incest,Adultery

  • Thread starter Thread starter StoryPublisher
  • Start date Start date
S

StoryPublisher

Guest
ये कहानी कॉपी पेस्ट है कृपया लुफ्त उठाये

किसी भी समस्या पर जरूर बताएं
 
Update - 1



Himalay ke pahadon me Ek jungle hai jaha hariyali hi hariyali hai,

Or aisa dilkash nazara jo kisi bhi insaan ka man moh le,

Thandi - thandi shudh hava se Patte pedo sai gir rahe they,

aur jharne se pani girne ki kal - kal karti hui wo avaazen jo us jungle ki shanti me saaf sunai de rahi thin,

or vahan lage hue tarhan - tarhan ke phool jo jungle ko mehka rahe the,

par enn sab awajo me

ek awaj bhaut alag thi joh yaha gunj rahi thi,

Wo kisi ke zor se mantra japne ki aavaz thi.

aur Is awwaj ka madhur pan joh tha iska karan tha ki woh

ek pathar par betha hua insaan,

Jiske mukh se vo madhur awaaz nikal rahi thi.

(aakhir kon hai yeh aur kya wajud juda hai iska kahani se jaante hai bite hue kal sai......)

.

(Flashback) year 2017 -

apne room mei ek ladka mobile chala raha tha or

ye kya ye toh internrt par kuch powers paane ke tarike search karr raha hai,

tabhi bahar se ek madhur si awaz aati hei

"Ayush, Ayush"

(Wo ladka - Ayush)

Ayush- haan mom,

Ayush,s mom - yaha aao beta,

ayush - aaya mom, bas 5 min.

(itne me hi ayush ki mom uske ke room me aa jati hain.

woh ayush ka bikhra hua room

dekh ke badak jati hain).

Mom-ye kya hai,

pure room ka kya haal bana rakha hai. aaj main ye sab fek dungi .

Ayush- nahi mom please, rehne do na mei abhi saaf kar deta hun.

Ayush's Mom - nahi ye tumhara roz ka hai.

(ayush ki mom uski ek bhi nahi sunti aur saari superheros ki cd todkar ghar se bahar fek deti hai,)

ayush bohot sad ho jaata hai uski aakhen nam ho gayin thin,

Ayush ki mom usko daat kar room se bahar chali jati hain,

sham ko uske dad aate hain,

ayush apne room mei bahut sad hoke baitha rehta hai,

Dad ke puchhne par ayush ki mom uske dad ko pura matter batati hain,

woha yush ke kamare mei jate hain,

aur use bohot samjhate hai lekin woh kisi ki ek bhi

nahi sunta woh itna jada udaas hota hei ki night mei ghar

chodh ke jane ka faisla leta hai,

Or raat hote hi mom - dad ke sone ka intzqar karne lagta hai,

Jab usko yakeen ho jata hai ki mom - dad so chuke hain,

to dhire se apne ghar ka main gate kholkar bahar nikal jata hai,

woh ek sunsan raste pe akele chale jaa raha tha,

pura road khali tha dur dur

tak koi nahi dikh raha tha,

Bas udti hui chamgadaden (Bats)

Or ulluon ke bolne ki awazen mahol ko or zyada dravna bana rahi thin.

.

ayush ko bohot dar lag raha tha

but woh usi road pe chalta ja reha tha,

usne faisla kar liya tha ki woh kahi dusri jagah jakar koi sadhu ko dhoondega aur unse shiksha lega,

ayush uss rod pe chale jaa raha hota hai tabhi usse kuch

aawaje sunai deti hain,

Ki jaise koi zor - zor se mantaron ka uchcharan kar raha ho.

uss taraf ye awaje gunj rahi hoti hai ayush un aawajo ka picha

karta hai jo road ke ek side jahan jungle tha vahan se aa rahi thin,

Ayush un azazon ka pichha karte hue jungle me kaafi andar chala gaya tha

aur jab wo uske pass jata hai to dekhta hai ki

waha kuch aghori pooja kar rahe they,

ayush ko unko dekh kar dar lagne lagta hai uska darna jayez bhi tha,

Kyonki aghoriyon ki shakal hoti hi aisi hai,

sabhi aghori nange apne oopar bhasm (rakh) male hue the,

or lambe - lambe baal or dahadi, unko or zyada daravna bana rahi thi,

ye sab dekhkar ayush ka dar se bura haal ho gaya isliye wo

waha se nikal ne ki sochta hai tabhi uss ke shoes ki wajah se niche padi lakdi crack ho jati hai,

Jisse aghoriyon ki nazar ayush par padti hai,

woh ek akele bacche ko jungle mei dekh kar ashcharya - chakit (shoked) ho jate hain,

Or ayush ko apne pass bulate hain,

.

ayush bohot dara huwa tha lekin woh kisi tarah himmat kar ke darte - darte unke pass jata hai tabhi unme se ek

aghori kadak awaj mei bolta hai -

Aghori- he balak tu yaha is waqt jungle me kya kar raha hai ??

Ayush uski awaj se aur dar jata hai uski dhadkane tez ho gayin thin.

ayush: mai..... mai... woh.

aghori (kadak awaaz me) - jaldi bol

ayush (kapte hue hotho se) - maine apne ghar ko chodh diya hai,

main akele ja hi raha tha ki is jungle se aap logon ki awwaz mere kaano me padi, or main awaaz ke pichhe yahan tak aa pohcha.

(sab aghori hasne lag jate hain)

Aghori 1 - hahahaha ghar chodh diya teri umar me bohotse balak aise galti kar dete hain,

jaa hamari baat maan ghar laut jaa nahi toh hum teri bali yahin chadha denge.

Ayush (nidar hokar) - main bhagwan ke siva kisi se nahin darta,

agar meri mout nishchit hai to vo avashay aayegi,

Anyetha duniya ki koi bhi takat mujhe chhu bhi nahin sakti.

(Ek balak ke mukh se aisi baaten sunkar ek bar ko to sabhi aghori bhi sakte me aa gaye the)

Aghori 2 (pyaar se)- hey balak! Tu ghar lout ja, zindagi bohot kathin hai.

Ayush - nahii mei kahi nahi jaunga jab tak mere

sapne purre nahi ho jate,

aghori 1 - kya sapne hei tere??

ayush unhe puri baat batata hai.

aghori- tu unn shaktiyon ko prapt kar keunka kya karega??

Ayush - apne man ki karunga.

aghori- bache agar tu unn shaktiyon ko prapt kar lega

toh tujhe ek zimmedari bhi milegi unn ke sath toh kya

tu un zimmedariyon ko pura nahi karega??

ayush - kaisi zimmedari milegi mujhe ??

aghori: jaise logo ko bachane ki, unki madad karne ki, aur bhi bahut sari hain,

jinko tum abhi nahi samajh sakte,

kya tu ye karega??

ayush- agar main ye sab karunga toh aapne man ki kabkaroonga iss liye main ye nahi karunga.

(toh aghori ye sochte hain isse dara ke bhej dete

hain aur 1 aghori ek mantra padhta hai aur ayushhawa me chala jata hai

ayush bohot dar jata hai)

Aghori - jaa bhag jaa yaha se nahi toh marra jayega.

(ayush ko aghori jaise hi niche utarta hai ayush unkepair pakad leta hai aur kehta hai)

ayush - Hai maharaj aap dhnye ho,

Is tuchh se balak ki nadaniyon ko maaf karke kipya mujhe sadhna karna,

dhayanlagana, puja karna shika den.

toh aghori kahte hain

aghori-main kyun tujhe ye sab karna shikaun??

ayush - agar aapne mujhe ye sab karna shika diya toh

joh aap kahoge woh main karne ke liye tayyar hun,

aghori - theek hai,

lekin ek baar phir soch le kyunki main

tujhe joh bhi karne ko kahoonga tujhe karna hi padega

shiksha ke doraan aur uske baad bhi.

Ayush (man me) : Lagta hai meri khoj puri ho chuki hai, or koi mujhe ye sab nahin sikha sakta, ab inko hi apna guru maan leta hun,

.

Aghori - Kya soch raha hai balak??

Ayush - Kuchh nahin Gurudev, main aapki shart se sehmat hun, jo aapki aagya hogi vahi main karunga.

To....Be...Continued
 
Update -- 2

Previous --

.

Ayush - Kuchh nahin Gurudev, main aapki shart se sehmat hun, jo aapki aagya hogi vahi main karunga.

.

Forward -

Wo aghori meri baat sun kar chintit suwar me bole -

.

Aghori - Theek hai balak, jaise tumhari ichcha,

aaj se tumhari shiksa shuru hogi,

jao jaake saamne pathar pe beth ke 10 minute tak dhayan lagane ki koshish karo.

.

[Baaki ke aghori vahan se kuchh door chale gaye the, dhiyan lagane ke liye,

Or us jagha par sirf ayush or vo aghori bache the jisko ayush ne apna guru maan liya tha].

.

(ab se us aghori ko "gurdev" kahunga aur ayush ko "main")

.

main (unke pair chhukar) : jo agya gurudev!

.

Ye kehkar main samne pathar pe beth ke dhayan lagane ki koshish karne laga toh jaise hi mera dhayan lagne laga gurudev ne apni puja - archna shuru kardi jisse mera dhayan bhang ho gaya toh main gurudev se nivedan karte hue bola -

.

Main : gurudev agar aap yahan puja karenge toh main dhayan kese lagaunga,

kyunki jese hi main shor sunuga toh mera dhayan bhang ho jayega.

.

Gurudev:- toh jab tum ladoge toh kya wahan shor nahi hoga tumhe aise hi dhayan lagane hoga, ye samajh lo ki kathinai abhi to shuru hui hai, iske aage tumhen isse bhi zyada manobal or atmabal ki zaroorat padegi,

chalo shuru ho jao,

.

Main : Jo aagya gurudev.

.

Aur main phir se dhayan lagane ki koshish karne laga,

mera dhayan 2 - 4 minute lagta aur toot jata,

.

lekin jaise hi gurudev ki puja puri hone mein 10 minute bache

mera dhayan laga raha aur maine pure 10 minute dhayan lagaya

Phir gurudev ke pas jake apne dono hath jodkar khada ho gaya

.

2 - 3 minute baad gurudev uthe aur ek kutiya (jhopdi) ki taraf ishara karte hue mujhse bole -

.

Gurudev :- ye sara samaan tumhe le ja ke wahan rakhna hai

main-gurudev main akela itna samaan keze uthaunga

kyunki waha bahut sara samaan tha jese puja ki samagri, aur bethne ke asaan, aise hi bahut sa saman tha jo havan kund ke ird - gird bikhra bada tha.

.

Gurudev :- tumhe ye karna hi padega,

maine pehle hi kaha tha ki tumhe meri sari bateen manani padegi,

agar tumhe sab kuch sheekhna hai toh aur in sab ke alava tumhe apne sharir ko garist bananai ke liye kasarat karni hogi,

toh agar tum itne sai bhaar sai daroge toh kuch nahi kar paaoge

.

Main :- ji gurudev main samajh gaya

(Maine dono hath jodte hue unse kaha)

.

[aur main ek baar jitna samaan le jaa sakta tha utna utha ke chal diya aur mujhe sara samaan lejakar us kutiya me rakhkar aane me ek ghanta aur laga,

main bahut thak gaya tha iss liye gurudev ke pas jake maine unhe bata diya toh gurudev ne mujhe ek dusri kutiya ki taraf ishara karte hue kaha-

.

Gurudev :- jao wahan jaake so jao lekin kal se tumhe jaldi uthna hoga aur der raat ko sona hoga,

.

main-ji gurudev main puri koshish karunga.

Gurudev - Koshish nahin, karna hi padega,

Ye sab itna aasan nahin hai, ab jao.

.

Main (hath jodkar sar jhukare hue) :- ji Gurudev.

.

aur main us kutiya mein chala gaya,

Jo ki ghaas phuso se bani hui thi,

.

.

Aur neeche sone ke liye ghas - phoos padi hui thi,

jo ki ek naram bistar se kam na thi.

Main uspar let gaya or thakaan ke karan thodi hi der me mujhe neend ne gher liya.

.

agli subah meri neend gurudev ke shankh bajane se khuli

.

.

Abhi main angdai le hi raha tha ki,

Gurudev ka dusra shishya mere paas aaya,

Or pani bhar ke lane ke liye sath chalne ko kaha, main uske sath chalne ke liye tayyar ho gaya,

Or phir hum pani lane chale gaye,

pani bhi bahut jyada tha,

aur jab hum dono pani le aaye uske baad

Gurudev ne mujhe snan lene (nahane) ko kaha…

maine paas ke jharne me jakar snan kiya

Snan karne ke baad main gurudev ke paas aya to unhone mujhe dhayan lagane ke liye kaha,

.

main bina koi sawaal kiye dhayan lagane beth gaya,

.

aaj phir kal jaisa hua 2 - 4 minute dhayan lagane ke baad baar - baar mera dhiyan bhang ho raha tha,

Bohot koshishon ke baad jakar dhiyan laga,

Or main ek lambe dhiyan me chala gaya,

.

phir jab main dhiyaan se uthkar guru dev ke pass aaya toh gurudev mujhse bole -

.

Gurudev :- jao aur jungle se sukhi lakdia ikatthi karke ke lao

.

main;- gurudev jangal me toh kaafi takatwaar or khatarnaak pashu bhi honge agar unhone mujhe haani pahunchai toh??

gurudev :- aisa kuch nahi hoga,

agar tumhe woh mile bhi toh tum bhaybheet mat hona bs apna kaam karna woh tumhe kuch nahi kahenge chalo ab bina sawal kiye jao,

.

Main - jee gurudev, jaisi aapki aagya.

.

main bhi bina sawaal kiye chal diya jungle me sukhi lakdiya dhundne,

.

jab me lakdiya dhoond ke ikatthi kar raha tha tab mujhe kayi pashu (janvar) dikhe

.

.

lekin main unse bina bhaybheet hue apna kaam karta gaya,

Wo bhi mujhe ek baar dekhte or aage nikal jaate.

.

Maine kaafi lakdiyan ikatthi kar li thin,

.

.

Maine unko jama karke ek gatthar banaya

Or lekar chal diya,

Abhi main thodi hi door chala tha ki meri halat kharaab hone lagi,

kyonki lakdiyan bohot bhaari thin,

.

lekin main phir bhi jaise - taise kisi tarah gurudev ki kutiya par pohcha,

.

aur ek ladke se puch ke lakdiya uss kutiya me rakh di, jahan bhojan banta hai,

.

Aise hi ghar ke kaam aur dhayan lagate hue ek hafta beet gaya,

ye hi mera nitye kiram (daily rutain) tha ki,

subah uth ke paani lana,

phir paas ke jharne me snan lena or

uske baad dhayan lagana,

aur phir jungle me jaake lakdiyaa lana ,

phir bhojan karna,

uske baad dopeher me thoda araam karna,

phir shaam ko bhi subah jaise karye karna,

.

aise hi ek hafta beet gaya ek hafte baad jab main dhayan laga raha tha tab mera dhayan pehli baar me hi 4-5 minute laga raha,

aur bakki karya karte hue bhi mujhe jada thakan nahi hui, kyonki ab mujhe iski aadat si padti ja rahi thi,

.

aur aise hi do hafte aur beet gaye aur aaj jab mene dhayan lagaya toh ek baar main hi dhayan lag gaya, toh gurudev mujhse bole-

.

gurudev :- ab se tumhe 20 minute dhayan lagana hai aur jada paani lana hai aur lakdiyaa bhi jada laana

.

main :-- ji gurudev

.

Main phie se dhiyaan me chala gaya, par 10 - 12 minute se zyada dhiyan nahin laga pa raha tha,

.

Jise dekhkar gurudev mujhse bole -

.

Gurudev - dhiyan lagate wakht, Bhool jao saari duniya ko, or unhen bhi jisne tumhen janam diya hai, bas ye socho ki tum yahan akele ho,

Or tumhara janm samaaj ki bhalai ke liye hua hai,

.

Gurudev ki baat ka asar mujhpar turunt hua or aaj pehli baar maine 15 minuta ka lamba dhiyan lagaya,

Jise dekhkar gurudev ne meri peeth thap-thapai, or phir mujhe jungle se lakdiyan lane ki aagya di,

.

Main bhi turant hi jungle ke andar ki or chal diya,

Jungle me pohoch kar maine lakdiyan ikattha karna shuru kar diya..

.

Pehle to maine utni hi lakdiyan uthai jitni main roz le kar jata tha, par phir mujhe gurudev ki aagya ki yaad aayi,

Isi liye main utni hi lakdiyan or chunne laga jitni roz lekqr jata tha,

aur iss baar dugni matra mai lakdiyo ka gatha banaya aur usko uthakar guruji ki kutiya ki or chal diya,

Abhi main kuchh hi door chala tha ki tabhi....

.

To... Be... Continued
 
Update - 3

Previous -

iss baar dugni matra mai lakdiyo ka gatha banaya aur usko uthakar guruji ki kutiya ki or chal diya,

Abhi main kuchh hi door chala tha ki tabhi....

.

Forward

tabhi maine ek sher ko insan ke roop me aate hue dekha,

aur main kafi ghabra gaya,

Meri phat ke chaar ho gayi thi,

Or heartbeat bhi haafi badh gayi thi,

lekin maine use mehsoos nahin hone diya,

.

Aise hi maine guruji ki kutiya me aate samay raaste me kuch pashuo (janvaron) ko aur aisa hi karte hue dekha,

lekin main hamesha ki tarah khamoshi se chalta gaya aur guruji ki kutiya me aa gaya, aur apna kaam khatam karke gurudev ke pass pohcha, abhi guruji dhiyaan me magn the,

.

Kuchh hi der me unhone apni aakhen kholin,

Or mujhse bole -

.

Guruji - Bolo vats, kaise pareshan ho,

.

Main - Guruji ap to maha-gyaani hain,

Sab kuchh jante hain, par aaj ki ghatna mere liye pareshani ka sabab bani hui hai,

Kirpya karke is gu notthi ko suljhayen...

.

Guruji (muskurate hue) - Bolo shishye… kya vajha hai tumhari pareshani ki??

.

Phir maine aaj jo - jo hua, saari ghatna guruji ko keh sunayi,

Jisko sunkar gurudev ki muskaan gehri ho gayi..

.

Gurudev (Muskurate hue) :- shishya woh janvar koi shadharan janvar nahi hain woh sab ek mayavi aur shaktishali pashu hain..

.

Main (achraj se) :- To phir gurudev woh sab mujhe kuch kehte kyun nahi hain, jab me unke samne se gujarta hoon??

.

Gurudev :- Wo isliye putra, kyunki tum unhe pareshan nahi karte, iss liye woh tumhe kuch nahi kehte.

Main :- gurudev kya aap kisi aur shishye ko bhi mere sath bhej sakte haai mujhe unse bohot dar lagta hai.

Gurudev :- Tumhen unse bhaybheet hone ki bilkul awayshakta (zaroorat) nahin hai,

tumhe unse dosti karni chahiye, or sath me milna - julna bhi.

Achha, kal aate hue ek kaam karna unme se kisi ek se baat karne ki koshish karna.

.

Main : - Gurudev ye aap kya keh rahe hain, agar unhone mujhe kuch kar diya toh ??

Gurudev :- dekho shishya, agar aise hi tum bhaybheet hote rahe toh tum woh na ban paoge, joh tum banna chahte ho,

tumhe ye dar bhay ko apne dil aur dimag se nikal kar phekna hoga kyunki jo tum chahte ho uske liye tumhe iss se bhi zyada daravni chizon ka saamna karna hoga,

iss liye tumhe khud ko abhi se unn chizo ke liye tayaar karna hoga...

Main :- Jo agya gurudev, aisa hi hoga..

.

main gurudev ki baat sun ke thoda ghabraya toh tha,

lekin maine socha gurudev sach hi keh rahe honge aur khud ko kal ke liye tayaar karne laga,

waise bhi maine ghar pe kayi pet animals ko pala tha lekin yeh alag hain,

iss liye mujhe in janvaron se dar lagna laga tha,

kher maine bakki sare karye (kaam) poore kiye aur raat ka bhojan karne ke baad so gaya.

.

agli subah main roz ki tarhan uthkar paani laya, aur snan karne ke baad,

dhayan lagane beth gaya

phir jungle jane laga wahan par sookhi lakdiyan beenkar unka ek gatha bana ke rakh diya.., aur uss sher ko dhoond ne laga,

.

aur jab maine gatha rakh ke pichhe dekha toh uss se apne insani roop me aate hue paya main usse dekh ke chonk gaya.,

kyunki woh bahut sundar tha aur uss ke kapde bhi shahi kapde lag rahe the,

.

ab mujhe ek idea aaya uss se baate shuru karne ka,

Aur main uss ki or chal diya,

woh bhi mujhe apni aur aate dekh wahin rukk gaya,

jab me uske pas pahuncha toh maine apna sar jhuka ke use kaha -

Main :- suprabhat rajkumar!

s'rajkumar :- suprabhat!

Main :- rajkumar aap yahan kya kar rahe ho??

s'rajkumar :- hum ghumne aaye hain, or jungle ki thodi sair karne aaye hain

Par, aap yhan kya kar rahe hain,

hum roj subah dekhte hai ki aap sukhi lakdiyo ka gatha bana ke le jate hain,

lekin kahan hame nahi pata ?

Main :- haan woh main apne guruji ki kutiya par le jata hoon.

s'rajkumar- lekin pehle toh koi aur aata tha lejane ko ab tum kyun aate ho??

main ;- rajkumar main naya hoon iss liye ye karya mujhe diya gaya hai

s'rajkumar :- tum hame bar bar rajkumar mat bulaya karo, thoda occoured lagta hai..

main ;- toh main aapko kya bulaon??

s'rajkumar-humara naam dev singh hai tum hame dev hi bulao ab tum hame apna naam batao.

main-dev bhai mera naam ayush hai

dev :- haan ye sahi hai tum mujhe dev bhai hi bulana achha ab main late ho raha hoon toh chalta hoon..

main :- thik hai dev bhai kal milte hain..

dev :- haan kal milte hain..

aur dev bhai chale gaye apne sher wale roop me

aur unke jate hi main bhi aone sath lakdiyon ka gatthar lekar chal diya, guruji ki kutiya ki taraf,

aur vahan pohockkar lakdiyan unki jagah oar rakh din,

Phir main guruji ke paas pohcha,

Or gurudev ko aaj ki ghatna vistaar se bata di

.

ye baat sunkar woh bhi prashan ho gaye,

aur main bakki karye karke so gaya ...

aur aise hi poora 1 saal beet gaya...,

aur main ab pure 1 ghante 50 minute lagatar dhayan laga sakta tha aur pehle se kayi guna lakdiya aur pani laa sakta tha bohot araam se

.

aur beete dino me meri aur dev bhai ki bhi kaafi gehri dosti ho gayi ab hum dono sage bhai bhai ki tarah ho gaye the aur jab main aaj subah dhayan laga ke utha tab guru dev mere pas aaye aage kya hua janne ke liye bane rahe manantrik par aur apne suggestions dena na bhule

To.... Be... Continued
 
Update - 4

Previous --



aur beete dino me meri aur dev bhai ki bhi kaafi gehri dosti ho gayi ab hum dono sage bhai bhai ki tarah ho gaye the aur jab main aaj subah dhayan laga ke utha tab guru dev mere pas aaye

Forward --

Gurudev aaj jab aaye toh khush lag rahe the kyunki aaj maine pure 2 ghante ka dhayan lagaya tha woh mere pas aaye aur bole

.

Gurudev :- shisye, aaj tumhari dhayan lagane ka samay 2 ghante ho gaya hai,

aur main janta hoon ki aaj tumhare janamdin hai,

iss liye aaj tumhari chutti hai bakki karyon se aur tumhari dhayan lagane ki aur sharir gharist karne ki shiksa puri hui,

kal se tumhe apne chakra ko kholna hoga aur apni sehne ki shakti badhani hogi chalo ab tum apna janamdin manao apne dost ke sath

Or tumhen is janmdin ki hardik shubh - kamnayen.

.

Main- Dhanyevaad gurudev, or jaisi aapki agya

.

Phir main guruji ke charan sparsh karke unka aasjirvaad lekar, chal diya dev bhai se milne,

.

Aur jab me wahan gaya toh dev bhai bhi wahan aaj jaldi hi mera intzaar karte hue mil gaye,

pichle kuch dino se unka aane ka samay badal gaya tha,

Aur jab main is baare me puchhta to vo hamesha taal jaya karte the,

khair, aaj jab hum mile toh dev bhai ne kisi party mein jaane wale kapde pehne hue the,

.

aur ek jodi extra kapde bhi unke hath me the

joh bahut sundar the

.

Main :- Bhai kya baat hai,

aap toh aaj kaafi sundar lag rahe ho kahin jaa rahe ho kya,

ya koi party hai ghar pe?

.

Dev :- (majak ke mood me) - kyun pehle achha nahi lagta tha kya??

.

Main :- nahi aisi koi baat nahi hai bhai,

lekin aaj kuch jyada hai achhe lag rahe ho aur ye dusri jodi kapde kis ke liye hain??

Dev :- tere liye hai chal jaldi taiyaar hoja ye kapde pehen ke

.

Main :- par bhai jana kahan hai??

.

Dev :- khud dekh lena jab hum phaunch jayenge.

.

Main :- theek hai bhai.

.

Unhone mujhe vo extra laye hue kapde mujhe diye or pehenne ko bola,

Maine bhi zyada behes na karte hue,

Wo kapde pehen liye.

.

Dev :- kya baat chhote tu toh bada mast lag raha hai ek dum hero maffik

Main (sharmate hue) :- kya bhai main kahan se hero jaisa lagta hoon aapko,

aur jaldi chalo mujhe dekhna hai aap kahan le jaa rahe ho mujhe

Dev :- chal phir chalte hain.

ye keh kar dev jungle ke andar jaane lagta hai aur main bhi uske peechhe - peeche chal diya.

.

thodi der chalne ke baad hum ek gufa ke pas phaunchte hai aur jab dev bhai andar jaa rahe hote hain tab main bolta hoon -

.

Main :- bhai iss gufa mein kya hai??

.

Dev :- chhote tu savaal bohot puchhta hai.

chal na bina koi sawaal kiye??

.

main bhi ab chupchap unke pichhe chalne laga .

aur jab gufa mein rasta najar nahi aata toh dev bhai ne diwar ke pas kuch mantasr sa bola,

toh woh diwar apni jagha se khisak gayi

Or main samne ka najara dekh hairan ho jata hoon kyunki samne ek shero ka joh insani roop le sakte hai rajye tha

jahan dev mujhe le ke aaye the jab unhone ne mujhe hairaan dekha toh bole

.

Dev :-!swagat hai tumhara "SINGHAL RAJYA" mein ab aise hi dekhte rahoge ya andar bhi chaloge.

.

Main :- haaa haan bhai chalo chalte hai

.

aur hum dono ke aage ek shahi sawari aa ke rukti hai ,

jisme hum raj mehal ki aur prasthan karte hain,

main mehal ko dekh aur hairaan hota hoon,

kyunki, woh bilkul lal kille jaisa tha bs farak itna tha ki woh white colour se bana hua tha,

Aur aaj uski sajawat bhi aisi thi jaise kisi rajkumari ka janamdin ho dev bhai phir mujhe hosh me laate hain

aur hum chal padte hai mehal ke andar jab hum ek kamre ke gate ke bahar khade the tab dev bhai mujhse bolte hain,

Dev :- aaj meri behen ka janamdin hai,

aur usne mujhe tum se milane ko kaha tha aur waise bhi aaj tumhara bhi janandin hai,

toh maine socha dono ka ek sath manate hai hum log janamdin.

.

main phir se hairaan ho gya kyunki maine kabhi dev bhai ko nahi bataya tha ki mera

janamdin kab hai,

Lekin maine jada socha nahi kyunki main thoda bhavnao me beh gaya tha aur yaad kar raha tha ki kaise meri chhoti behen aur maa papa mera janamdin manate the,

aaj unki bahut yaad aa rahi thi.

.

lekin maine jald hi apne aap ko sambhala aur chere pe khusi laate hue bola

.

Main :- dev bhai kahan hai behen,

kya woh humse chhoti hai ya badi.

.

Dev :- haan woh tujhse 1 saal chhoti hai chal milata hoon uss se ye kamra hi hai uska

Intro

Dev singh-pehle hi bata chuka hoon

Urvashi singh-dev ki chhoti behen bahut cute hai

Manisha singh-dev's mother bahut khush mizaz hai aur apne bachho se bahut pyaar karti hai

Jorawar singh-dev's father apni patni aur bachho se bahut pyaar karte hai sath me apni praja ko bhi apne bachho jaisa samajhte hai

hum dono andar jaate hain

toh andar ek sundar aur pyari ladki thi jisne bahut sundar kapde pehne the ,

joh uspe jach rahe the woh dev bhai ko dekh ke unke pas aayi aur apni pyari awwaj me boli

.

Urvashi :- bhai aap aa gaye.

.

Dev :- haan chhoti main aa gaya aur dekh main tujhse milane kise laaya hoon.

.

Urvashi ne meri taraf dekha aur phir dev bhai ki taraf dekhte hue boli

.

Urvashi :- bhai yeh kon hai??

.

Dev-(mushkurate hue) - wahi jiska intejar tu subah se kar rahi hai

.

Urvashi-(khush hote hue) - achha toh ye hain ayush bhai.

.

Dev :- haan chhoti yahi hai tere ayush bhai chal ab tum dono baate karo main tayari karta hoon sham ke jashan ke liye

.

Urvashi :- theek hai bhai.

.

aur dev bhai wahan se chale jate hai

.

Main :- chhoti tu mujhe jab tak shaam nahi hoti tab tak rajya ghumha

.

Urvashi :- haan yeh theek rahega bhai iss se samay bhi beet jayega

.

Main :- haan chal chalte hain.

.

aur ham dono mehal se nikal padte hain.

urvashi mujhse puchhti hai ki kaise chale paidal ya raajshawari mein,

maine paidal hi chalne ko kaha aur hum dono paidal hi ghumne nikal gaye.

To...Be....Continued
 
Update -- 5

Previous --

aur ham dono mehal se nikal padte hain.

urvashi mujhse puchhti hai ki kaise chale paidal ya raajshawari mein,

maine paidal hi chalne ko kaha aur hum dono paidal hi ghumne nikal gaye.

Forward --



Phir ham dono (main or urvashi) nikal gaye ghumne ..

Urvashi (raste me)- Bhai sabse pehle kahan chaloge ghoomne ke liye

Main - Pehle yahan ka bazaar dekh lete hain.

Urvashi - haan bhai yahi theek ragega,

Waise bhi aas - paas ke rajyon me sabse zyada hamara bazaar hi famous hai..

Main - phir to dekhna hi hoga, ki yahan ke bazaar me aisi kya khaas baat hai

Or ham dono baaten karte hue bazaar me aa gaye..

Sach kaha tha urvashi ne, yahan ka bazaar dekh kar to mera bhi dil khush ho gaya, itni cheezen thi, vahan par

Yudh kala, lathi chalana or hath ki fight,

overall har tarhan ki kitaben yahan moujood thin,

jinhen main bade hi gour se dekh raha tha,

Mujhe aisa dekhte hue dekhkar urvashi boli -

Urvashi - bhai ye aapko pasand hain kya?

Main - haan chhoti pasand to bohot hain.. par phir kabhi kharidenge..

Abhi ghoomte hain..

{Ab main use kaise batata ki mere paas inhen khareedne ke liye paise nahin hain}

Khair ham kuchh aage chalne lage..

Or dukano par tarhan - tarhan ki poshaken or bohot hi khubsurat kapde the,

jo man ko moh rahe the..

Phir khane - peene ki dukane bhi aayin,

Or urvashi ne zabarzasti mujhe kuchh khilva diya ..

jo bada hi zaykedaar or meetha sa tha,

Aisa to maine aaj tak nahin khaya tha,

Phir urvashi mujhe apne sath lekar ek sunsaan raste ki or chalne lagi..

Main - Urvashi, gudiya ham kahan ja rahe hain??

Urvashi - bhai surprise naam ki bhi koi cheez hoti hai..

Main - Kyaa, ab or bhi surprise bacha hua hai,

Urvashi (muskurate hue)- abhi to aage aage dekhiye hota hai kya.

Main bhi smile karte hue uske sath chalne laga

Main - waise chhoti ek baat bata,

ki yahan par itna sundar jungle hai,

Itna pyara ki kisi ka bhi man moh le,

Phir dev bhai hamare jungle me kyon aate hain...???

Urvashi (shaitani smile ke sath)- kyon aapko nahin pata??

Main - maine kai baar puchhne ki koshish to ki thi,

par vo har baar taal jate hain...

Urvashi - Oh! Ye dev bhai bhi bohot sharmile hain, par aap to unke besty ho kam se kam aapko to bata dena chahiye tha..

Main - dekh chhoti mujhe ab confused mat kar, or jaldi bata ki,

aisi kya baat hai jise batane me dev bhai ko sharam aati hai..

zara hame bhi to pata chale (smile)

Urvashi (apni aakhon ko gol ghuma kar) - Wo baat te hai ki dev bhai vahan par meri hone vali bhabhi se milne jate hain..

Main (shoked)- achchhaa! to ye baat hai..

Aaj to dev bhai gaye kaam se..

Itni badi baat mujhse chhipayi,

Aaj to unhen maza chhakaunga (devil smiling)

Urvashi (mujhko dhamkate hue)- Aye Mr. Jo karna hai aap Karo,

par mera naam nahin aana chahiye,

(Masoom chehra bana kar)- varna bhaiyya mujhe datenge.

Uski dhamkane vale reaction par meri hasi chhut gayi..

Main (haste hue)- theek hai - theek hai, tumhara naam nahin aayega..

Achchha ye batao or kitni door jana hai.??

Urvashi - bas pohoch gaye bhai..

Vo dekhiye saamne, usne ek taraf ishara kiya

Itna sundar nazara dekhkar mera to khush ho gaya, aisa lag raha tha ki saari zindagi bas yahin nikal jaye..

Vahan ki shudh hava, or saamne kal - kal karta jharna,

bada hi adbudh nazara tha.

Urvashi - kyun bhai hai na bahut sundar jagah.

main (aankh band karke ek tez saans kheechkar) - wakayi, chhoti ye jagah toh bahut jyada sundar hai,

dharti par agar kahin swarg hai to bas yahin hai.

Urvashi - haan bhai iss liye mujhe ye jagah bahut pasand hai aur main yahan aati rehti hoon,

jab bhi mera man udaas ho ya phir zyada khushi ho..

Yahan par aakar hamesha man ko shanti milti hai.

main - acha chhoti iss jagah ke baare me aur kon kon janta hai ?

Urvashi - bas main, dev bhai aur aap

To... Be.... Continued
 
UPDATE--6

PREVIOUS--

main - acha chhoti iss jagah ke baare me aur kon kon janta hai ?

Urvashi - bas main, dev bhai aur aap

FORWARD--



chaliye inn dono ko baat karne do itne hum chalte hai singhal rajya se thodi duri par singha nagar ke rajya mehel me jahan par wahan ke raja kisi ko kuch keh rahe the



Raja - haan, sevakon ... Maine tumhen uska peechha karne ko kaha tha..

To batao kya pata lagaya tumne..

.

Sevak 1 - Maharaj, uske baare me vaise to kuchh khas pata nahin chala.. par ek baat hai jo aapko khush kar degi..

.

Raja (khush hokar)- jaldi bata, agar tune mujhe khush kar diya to tujhe sone ki asharfiyon se nilha dunga..

.

Sevak 1 - Maharaj, vo akele hi ek khas jagha jati hai, jo uski pasandeeda jagha hai..

Or kabhi - kabhi Rajkumar bhi uske sath hota hai...

.

Raja (khushi se jhoomte hue)- or vo khas jagha kahan hai??

.

Sevak 1 - Maharaj, vo khas jagha jungle me andar ki taraf hai..

Jahan agar hamne use maar bhi diya.. to kisi ko bhanak bhi nahin lagegi... Or uski lash bhi jala denge ham.

.

Raja khushi se uchhal padta hai or apne gale me pada hua haar nikalkar sevak ko de deta hai..

.

Raja (khishi se) - Matlab saap bhi mar jayega, or lathi bhi nahin tutegi...

.

Sevak 2 - ji maharaj.



Unknown-aap chinta na kare aisa kuch nahi hoga woh aaj nahi bachegi



aur woh log nikal jaate hain wahan se aur hum bhi chalte hai wapis apne hero ke pass



main-gudiya chalo jashan ka waqt ho raha hai hum chalte hai mehel mein



Urvashi-(dukhi hote hue) haan bhaiya chalo chalte hai



main samajh gaya Urvashi yahan se jana nahi chahti thi iss liye maine socha uss se raat mein leke aaunga yahan pe jashan ke baad aur bina usse ye baat bataye chup chap chal diya uske sath thodi der me hum dono phaunch gaye mehel me aur uske baad sidha phaunche Urvashi ke kamre me wahan pe Dev bhai pehle hi the joh tayar ho gaye the pehle se jyada achhe kapde pehen ke aur unke pas do dress aur thi



Dev-chalo jaldi se taiyar ho jao chhote tu mere sath chal



main-haan chalo Dev bhai



aur hum dono bagal wale kamre me gaye joh Dev bhai ka tha aur bahut sundar tha dev bhai ek taraf ishara karte hue bole



Dev-jaa naha ke taiyar ho jaa



main bina kuch bole chala gaya aur taiyar hoke aaya phir hum dono Urvashi ke pas gaye lekin aap log toh jante hi hoge ki ladkiyaan taiyar hone me kitni der lagati hai aur chahe sherni hi kyun nahi lekin thi toh Urvashi bhi ladki hi na toh woh itni jaldi kese taiyar ho jati toh Dev bhai bole itne main tumhe maa baba se milata hoon chalo aur hum dono chal diye ek dusre kamre me jahan pe do shaks the joh Dev bhai ke maa baba the toh maine sabse pehle jaate hi unhe pranam kiya aur thodi bahut baate hui hamari joh koi jaruri nahi hai iss liye nahi likh raha thodi der me hum sab ek hall me the joh bahut sundar saja hua tha aur wahan pe bahut log bhi the Urvashi bhi apne dosto ke sath baate kar rahi thi wahan pe hi aur dev bhai ko uncle le gaye the akhir dev bhai hone wale raja the iss liye unhe jana hi tha toh main bhi chal diya Urvashi ke pas joh iss waqt kafi cute lag rahi thi wahan usne mujhe apni dosto se milvaya



small intro

Parul

mukhya mantri ki beti dikhne me sexy hai aur bold hai kafi jyada ladko pe comment karne me hickicati nahi hai eyes green colour ki hai aur figure hai 32-28-32 chaliye chalte hai story par

Parul-hi handsome suna hai aaj tumhara bhi b'day hai kya ye sach hai



main uske handsome bolne se thoda sharmata jata hoon aur bolta hoon g aapne sahi suna hai mere sharmane se woh saheliya hasne lagti hai Urvashi bhi thoda bahut hasti hai aur uske hasne se mujhe achha lagta hai iss liye main aur jyada sharmane ki acting karta hoon jis se woh log aur haste hai aur main Urvashi ko hasta dekh khush ho jata hoon



Parul-bs karo yr aap toh hasa hasa ke bura haal kar doge waise aap kisi ko pasand karte hi kya



main-nahi kyun..



Parul-kuch nahi aise hi



main-kahin aapko bhi main pasand toh nahi aa gaya



Parul-(naughty smile)bhi se kya matlab hai aapka



main-mera matlab hai ki main toh aap pe fida ho gaya hoon



Parul-achha chalo phir hum dono inn sab ke sath kya kar rahe hai hum kahin aur chalte hai



main kuch bol pata uss se pehle hi dev bhai ne hame bula liya iss liye hum dono unki taraf jaane lage raste me



Urvashi-bhai ye kya chal raha tha kya woh sach me aapko pasand hai??



main-nahu gudiya main bs majak kar raha tha



aur hum dono phaunch gaye cake ke pas pehle gudiya ne cake kata toh dev bhai ne usse ek uphar diya joh pack tha iss liye hum dekh nahi paaye aise hi kayi logo ne gudiya ko uphar diye phir maine cake kata aur sabse pehle gudiya uske baad dev bhai ko khilaya gudiya ne mujhe ek box diya aur kholne ko bola maine pehle toh thodi na nakur ki phir akhir le ke khol hi diya aur uske andar joh tha usse dekh kar main shock ho gaya chalo aap logo ko bhi dikha hi deta hoon..



aur meri ankho me apne aap pani aa gaya aur maine gudiya ko gale laga kar



main- shukriya gudiya



Urvashi-gudiya bhi kehte ho aur shukriya bhi agar aage se kabhi shukriya kaha na toh main aapki pitayi kar dungi



uski baat sunke main aur bakki sab thode hasse phir main



main-waise gudiya ye tune kab mangayi



Urvashi-bs thodi der pehle



Dev-chhote



maine Dev bhai ki taraf dekha toh unke ps bhi ek box tha jisse maine bina kuch bole khola toh usme ye tha



maine Dev bhai ko gale laga liya aur aise hi jashan khatam ho gaya aur maine Uncle Aunty aur Dev bhai se pucha ki kya main Urvashi ko leke bahar jaa sakta hoon Uncle aur Aunty toh mana kar rahe the lekin Dev bhai ke kehne se aur Urvashi ka murjhaya chehra dekh ke jaane ki anumati de di
 
Update -- 7

Previous--



maine Uncle Aunty aur Dev bhai se pucha ki kya main Urvashi ko leke bahar jaa sakta hoon Uncle aur Aunty toh mana kar rahe the lekin Dev bhai ke kehne se aur Urvashi ka murjhaya chehra dekh ke jaane ki anumati de di

FORWARD--

Uncle Aunty se phuch kar hum dono Urvashi aur meri pasandida jagah phaunche

wahan jaake hum dono talab me pair dalke baith gaye aur baate karne lage abhi thodi der hi hui thi ki mujhe kuch ajeeb awaz aayi jaise koi chiz teji se hamari taraf aa rahi ho

mene ass pass dekha

mere aisa karne se Urvashi thoda shock ho gayi ki achanak mujhe kya hua

Urvashi - kaya hua bhai

Woh etna bol maine usske kamar par ghusanai waale teer ko bich mai hi pakad liya

Urvashi thoda ghabra gayi thi aur ghabraye bhi kyun na iss achanak koi teer agar aakar aapko laganai waala ho toh

Usska pura face laal pad chuka tha yeh ladakiyoo kaa face dar aur sharamani mai ek jaisa hi ho jaata hai

Maine teer side mai fhekha aur usske gaal ko haatho mai lekar -tum kyu dar rahi hai gudiya mai huuh naa

Urvashi -bhai aapke haath sai khoon nikal raha hai

Maine haath jhataka -aare naa yrh jara si chhot hai tum thik hoo naa

Urvashi apana thuk ghot kar haa bolati hai

Mai kadha hua jaise

Mere kadhe hoti hi Urvashi mera per pakati hai

Mai usske dhekhata huu woh talab ki taraf dhekh rahi thi maine udhar dhekha toh paani mai ek nakab posh tha

Maine haath dekar Urvashi ko kadha kiya

Paato ki sarsarhat hui aur baaki tino taraf ek ek ek nakabposh utare pata nahi kaahe sai aa rahe the

mujhe unn logo ke kapde ninja jaise lage iss liye main thoda dar gaya lekin socha ki main bhi ek saal se training kar raha hoon toh dekhte hai ki uska kya asar hua hai

Urvashi-kon ho tum log kyun hame marna chahte ho

Unknown-hum usse nahi tumhe marna aaye the lekin isne bich mai aakar galati kar di hai

Urvashi-lekin tum mujhe kyun marna chahte ho

Unknown-yeh hum nahi bata sakte bs itna jaan lo ki hum tumhe aur isse mar kar jayenge

Mai -aabe tuha kaya court mai aaya hai joh sawal jawab kar raha hai

Unknown- dialouge baaji dhekho be aab baache ladange humsai

Mai nicche jhuk kar beth gaya

Unknown - aare yeh toh abhi sai jhuk gaya jaa bhaag jaa yaaha saii...... Iiiiiii

Woh usske aage kuch bol nahi paaya maine tir usske gaale ke aar paar kar diya tha

Mai apne haath ko dhekhnai laga ki kaya sach mai etnai tezzi hai ennmai

Mai - etna bhi naa bola kar ki sunnai waala bhi naa sun paaye aur tum sab etna naa hasa karo ki roona aa gaaye

Mere right side waale nai haath seene par liya aur ek pair picche kiya aur meri taraf dusra haath kiya

Pata nahi kaya hua mai Urvashi sai saath udhata hua paani mai gira Urvashi toh gir gayi puri par mai hawa mai tha toh uss nakaposh nai joh paani mai tha mere kamar par laat maari mai uss nakaposh ke pass jakar gira jaha phela wala tir sai mara pada tha

Woh paani waale nai Urvasi ke baal pakad liye

Maine ghusse mai wahi tir pakada joh usss mare hue ke muh ke aar paar thaa aur chivh kar usse uss pani waale ki taraf fhekha par teer ke saath usska shir bhi saath hi gaya aur uss paani waale ke dil mai ghus gaya

Mai khdha hota hua - ladaki ke baal aur izzat par kabhi haath naa daalana warana dil dhdakana band kar dega

Mere right side waala -yeh ladaki aaj hi maaregi aaj hi

Ess sai phele ki woh shaks kuch samajh pata Urvashi ne usspar jhapatta mar diya aakhir woh kaya hai sab jaanate hai bus todha saa dar gayi thi aur uss tak phauch kar sherni banke apne panjoh se uska ek hath kat diya jis se ek aur tez awaz jungle me gunj gayi

jaise hi woh chikha uska aakhri saathi uski taraf bhagne ko hue iss se pehle ki woh bhag pate maine usski gardan marod di jis se woh wahin khatam ho gaya

Mai urvashi ko dhekh kar hasata huu - haa haa gudiya dhekha sab kahatam maza aahhhhhhhhhhhhh.... Maaaaaaaaa......

Urvashi nai jisaka haath kaata tha woh zinda thaa ussnai kuch nukala mere taraf fhekha aur aur woh mere seene mai lagate hi mai bheshosh hone waala aur girnai waala tha ki kisi nai mujhe thaam liya bus etnai awwaz sunayi di "chhote "

Jab meri aankh khuli to maine apne aap ko ek kamre me paya,

Maine Kamre me charon or nigah doudayi, to mere samajh me a gaya, ki main mahel ke ek room me hun,

.

Mere poore shareer me pain ho raha tha, is fight me mujhe bohot choten aayi thin,

.

Thodi hi der me room ka darvaza khula or 3 shaks room me enter hue.

Jinme se ek dev bhai the, or dusre unke pita ji, teesra chehra anjaan tha, par unke kapdon se aisa lag raha tha ki jaise bohot bada vaidhye (hakeem) ho.

Dev Bhai (mere paas baithkar Nam aakhon se)- chhote ab kaisa hai tu,??

.

Main - Main to bikul theek hun bhai, aap ye batao ki Urvashi kaisi hai?

Uske zyada chot to nahin aayi.

.

Dev's Father = (Joravar Singh) -

Beta jiska tere jaisa bhai ho,

usko kya ho sakta hai,

Tu to sabke liye ek misaal hai,

Ki koi ek baar tujhe bhai ya beta bole,

To tu rishte poore dil se nibhata hai,

.

Main - Nahin pitaji aisi koi baat nahin hai.. main itna bhi mahaan nahin hun,

.

Joravar khud ko pitaji sun kar bohot khush hua..

.

Joravar - Ayush beta,ab se mera 1 nahin 2 bete hain...

Phir, {Raj vaidhye (hakeem) se} :- Vaidhye ji mere bete ko jaldi hi theek karo..

.

Vaidhye (hath jodkar) - Ji maharaj, maine inko jadi - butiyan khila di hain,

Ye jaldi hi theek ho jayenge.

.

Joravar (Dev se)- Dev beta, hamare kakahye (room) me jaao, or jo hamara pushtaini shaktiyon ka pitara hai, vo lekar aao.

.

Dev bhai turant nikal gaye, or thodi der me vapas laute.

Unke hath me ek box tha, or unhone vo box Joravar ke hath me de diya..

.

Joravar (meri or dekhkar)- Maine tujhe birthday gift nahin diya tha na,

Aaj main tujhe aisi shakti dunga,

jisse tu koi bhi roop le sakta hai..

Or isme or bhi bohot saari shaktiyan shamil gain, jinke baare me main khud bhi nahin janta.

.

Main - Pitaji, iski kya zaroorat thi,

Ye main nahin ke sakta, ispar dev bhai ka hak hai..

Joravar - Dev ke paas pehle hi bohot saari shaktiyan hai, isliye usko iski zarooeat nahin..

.

Phir unhone apni baat poori ki or us box ka muh meri taraf karke,

usme neeche

Laga hua 1 button press kar diya..

Jisse usme se ek laal roshni nikli or mere andar jane lagi...

To.... Be.... Continued
 
UPDATE--8

Previous --

.

Phir unhone apni baat poori ki or us box ka muh meri taraf karke,

usme neeche

Laga hua 1 button press kar diya..

Jisse usme se ek laal roshni nikli or mere andar jane lagi...

.

Forward --

.

Or meri aakhen band hoti chali gayin

.

Shayad main itni energy ek sath apne shareer me jhel nahin paya tha

.

Yahan se bohot door ek ghar ke ek band room me ek ladki siskiyan le kar ro rahi hai..

Uska haal kuchh aisa hai ki rote rote uski aakhen laal surkh ho gayin hain..

Par vo kisi ladke ka photo hath me lekar zarokataar roye ja rahi hai..

.

Ladki (rote hue) - Ayush, kahan ho tum,

Main padhai karne hostel kya gayi,

tum mujhe chhod kar chale gaye,

Plzz vapas aa jaao,

Yahan par log pata nahin kya - kya baaten banate hain,

ki ab tak vo mar chuka hoga.

Par mera dil kehta hai ki tum abhi zinda ho or theek ho.

Tumhare bina sab ka haal bura ho gaya hai,

Plzz lout aao,

Kash aaj tum hamare sath hote, or ham tumhara birthday sath me celebrate karte.

.

Vo phir se ayush ki photo choom kar rone lagi.

.

Vahin usi ghar me neeche ke kamre se bhi rone ki aawazen aa rahi thin,

Us room me bhi 2 log ek dusre se chipat kar ro rahe the..

.

Aadmi (rote hue) - Kash us din tum uske sath aisa na kartin, to aaj vo hamare sath hota,

Or ham uska birthday sath me mana rahe hote.

.

Aurat (rote hue) - Mujhe maaf kar dijiye, ye sab meri vajha se hua hai…

Par mera dil kehta hai ki vo aayega..

Wo lout kar zaroor aayega...

Bhagwan hamare sath annyaye nahin kar sakta..

.

Aadmi (us aurat ke aansu pouchhkar)- tumne subha se kuchh nahin khaya hai,

.

Aurat (khud ko sambhalte hue)- Aapne bhi to kuchh nahin khaya hai,

Or khayen bhi kaise jab kuchh hai hi nahin, khane ko, hamne use dhundhne me sab kuchh luta diya,

Ab to bas ye ghar hi bacha hai, or vo bhi girvi pada hai,

.

Aadmi - lekin kya fayda hua, itna sab kuchh chin jane ka bhi koi fayda nahin hua,

Wo lout kar vapas nahin aaya..

.

Kehte hue vo dono phir se rone lage.

.

Short Intro --

.

Aadmi - Ayush ke dad (Jasveer)

.

Aurat - Ayush ki mom (Preeti)

.

Ladki - Ayush ki badi behen (Divya)

Ayush se 2 saal badi hai, zyadatar hostel me padhi hai, sirf chhuttyon me hi ghar aati thi,

Ayush se be-intiha mohobbat karti hai,

Paisa khatam ho jane ke karan padhai beech me hi chhod kar ghar aa gayi hai,

Or ghar par hi apni mom ke sath milkar silayi ka kaam karti hai

.

Back to the story--

.

Preeti (apne aasu pochhte hue)- Ab to hamara beta 19 ka ho gaya hai, vo jahan bhi hoga aaj ke din to hame yaad kar raha hoga.

.

Jasveer - Nahin Preeti, shayad vo hame bhool chuka hai, varna vo lout kqr zaroor aata, uske bina hamara kya haal hai, use kya pata,

Or hamara to chhodo, divya ka kya haal ho raha hai, bechari us ko yaad karke saari raat roti rehti hai ...

Preeti - Hey Bhagwan, kirpya ayush ko jaldi hi hamse mila de, ab or raha nahin jata,

.

Main ek cheekh ke sath bistar se uth baitha,

Or dekha to urvashi mere paas baithi hui thi,

Jo meri awaaz sunkar dar gayi..

.

Urvashi (ghabra kar mera chehra hath me lekar)- Bhai kya hua aapko??

Aap theek to hain na??

.

Main (Nam aakhon se)- Maine apni family ko dekha, mere bina unka itna bura haal hai..

Ki vo aaj bhookhe so rahe hain...

Didi main vapas aaunga ... Zaroor aaunga..

.

Urvashi (pyaar se mera sar sehlate hue)-

Bhai aap tension mat lo, sab theek ho jayega..

.

main (Nam aakhon se)-yeh sab meri wajah se hua hai na main ghar chhodta na aisa hota

.

Urvashi-(Nam aakhon se)-aur na aap humse kabhi milte

.

main Urvashi ko gale se laga leta hoon aur thodi der hum dono ek dusre ko shant karte hai uske baad Urvashi mujhse joh maine dekha uske baare me puchti hai main usse bata deta hoon aur sochne lagta hoon aage kya karna hai itne me Dev bhai wahan aa jate hai

.

Dev-uth gaya chhote ab kesa lag raha hai

.

main-haan bhai bs abhi thodi der pehle utha hoon

.

Dev-jaa naha le phir breakfast pe milte hai

main bhi sochte hue uthta hoon aur nahane chala jata hoon aur pata nahi kyun lekin main apne parivar ki halat chupke theek karne ki sochta hoon aur jab main naha ke bahar aata hoon toh bahar kapde rakhe hue the main taiyar hoke dining table pe jaata hoon aur sabki suprbhat kehta hoon jiska sab suprbhat kehke jawab dete hai

.

main-pitaji main yeh kaise pata lagaun ki joh power's apne mujhe di hai usme kya kya hai?

.

Joravar-beta tumhe yog se hi pata chalega yeh toh

.

main-theek pitaji main chalta hoon abhi ke liye guruji meri pratiksha kar rahe honge

.

Urvashi-bhai jaldi aana wapas raat ko

.

main-theek hai gudiya

.

aur chal deta hoon guruji ke pas wahan phaunch ke main guruji ko kal ke baare me batata hoon aur apne sapne ke baare me bhi

.

Meri baat sunkar guruji ke chehre par jo muskurahat aayi usne mujhe cinfused kar diya,

Main soch me pad gaya ki guruji ki muskan ke pichhhe kya raaz ho sakta hai..

Tabhi guruji bole,

.

Guruji - Balak main tumhare karye se bohot prasann hua,

Jis bahaduri se tumne un dushton ka vinash kiya,

Vo kabil - e - tareef tha,

Tum hamesha mujhse puchhte the na ki guruji aap mujhe fight kyon nahin sikhate, ye jungle se lakdiyan or sirf dhiyan hi kyon lagvate ho,

Beta tumhari training usi time se shuru ho gayi thi, jab tumne mujhe apna guru mana tha,

Or dhiyan lagane se hi tum un ninjas ka saamna kar paye or unse bhi zyada tezi se unke war ko samajh kar uska javaab de paye.

.

Itna sunte hi main guruji ke pairon me gir pada, meri aakhen vastav me nam ho gayin thin...

.

Kyonki guruji ke or bhi shishya the, par jitni jaldi or tezi se unhone mujhe itna sab kuchh sikhaya tha, itna kisi ko bhi nahin sikhaya.

.

Guruji ne mujhe utha kar apne gale se laga liya,

.

Thodi der baad ve mujhse alag hue or

uske baad main unse puchta hoon

.

main - gurudev kya main wapis sheher jaa sakta hoon main roj raat ko apni shiksha lene aa jaya karunga

.

guruji - jaisi tumhari marzi jao ab yog karne beth jao aur kal hi sheher ke liye nikal jaana

.

main-ji gurudev jaisi aapki aagya.

.

main wahan se apni pasandida jagah jaake yog karne beth jaata hoon or dhiyan lagane me magn hone lagta hun,

thodi der tak toh kuch nahi hota lekin phir dheere dheere mujhe apne andar urja mehsoos hone lagti hai aur dheere dheere mujhe apne mann me ek Akriti najar aane lagti hai

.

main-kon hain aap

.

Akriti-main woh hoon jisse tum dhoond rahe ho

.

main-main toh yahan dhayan laga ke apni shaktiyo ke baare me janna chahta hoon

.

Akriti-kya janna chahte ho tum apni shaktiyo ke bare me

.

main-yahi ki kya kya shaktiya hai mujh pe

.

Akriti-abhi ke liye itna jaan lo ki tum kisi ka bhi roop le sakte ho bs uske baare me apne mann me sochkar,

aur kisi ke baare me jann bhi sakte ho,

aur apne mann me soch ke dhoond bhi sakte ho bure logo ko aur unke kaam karne ki jagah bhi pata kar sakte ho

Iske alava Tumhari ek shakti ye bhi hai ki

Tum agar lohe ko chhu kar apne man me uski power lene ki socho,

To tum lohe ke jitne mazboot ho jaoge,

Yahan tak ki kisi bhi matel ko chhune par uski power observe kar sakte ho,

Baki ki shaktiyan bhi tumhen samaye aane par pata chal jayengi.

.

main- abhi ke liye se tumhara kya matlab hai

.

Akriti-aage chal ke pata lag jayega tumhe

.

aur Akriti gayab ho jaati hai aur main bhi uth ke guruji ki ijazat lekar chal deta hoon mehel ki taraf

To...Be....Continued
 
Update -- 9

Previous --

.

aur Akriti gayab ho jaati hai aur main bhi uth ke guruji ki ijazat lekar chal deta hoon mehel ki taraf

.

Forward --

.

Charon or andhera ghir aaya tha, din chhip chuka tha, Mehel ki mashalen jalne lagin thin,

Jisme Dev bhai ka mehel sone ka lag raha tha.

.

Main Mehel me dakhil hua,

vahan ke pehredaar mujhe dekhte hi jhuk kar mera abhivadan karne lage,

Sabhi mujhe jaan gaye the, ki main aira - gaira, natthu - khaira nahin hun, hahaha (just kidding guys)

maine Urvashi ke room ki taraf rukh kiya,

or uske room me enter ho gaya,

Vo apne bistar par aakhen band karke leti hui thi, shayad kuchh soch rahi thi,

Or mand - mand muskura rahi thi

Or badi hi cute si lag rahi thi, jaise ek chhoti si bachchi ho, sach puchho to mujhe vo ek chhoti si bachchi hi lagti thi, uski harkaten bhi aisi hi thin, bohot hi nadaan or pyaari si ladki, jise dekhkar bohot pyaar aata hai.

.

Use mere aane ka pata nahin chala, or main bhi uske pàas jakar khada ho gaya,

.

Main (apna gala saaf karte hue)- Uhumm uhumm.

.

Wo ekdam se chouk kar uth baithi,

.

Urvashi (mujhe dekhkar khush hote hue)- Bhai aap??, aap kab aaye??

.

Kehte hue vo bed se uthkar mere gale lag gayi, maine bhi use khud se chipta liya,

Usko gale se lagakar ek sukoon sa milta tha,

Bilkul ek chhoti behen vali feelings aati thin hamesha se.

.

Main (usse alag hote hue)- Sweetie, parso main sheher ja raha hun, or shayad tumse milne bohot kam hi aa paunga.

.

Urvashi (smile karte hue)- Aapko uski tension lene ki zaroorat nahin hai, kyonki main bhi aapke sath ja rahi hun,

.

Main - par chhoti, main vahan par padhne ja raha hun, or apni family ki help karne bhi,

.

Urvashi - To kya hua, aapki family kya meri family nahin hai, mujhe bhi to apni behen or mom - dad se milna hai.

Or main bhi padhna chahti hun, aapke sath maza aayega, (vi exited hote hue boli)

.

Main - Urvashi plzz samjha karo na,

Achchha main tumse har 2 din me milne aaunga.

.

Par urvashi to urvashi thi, usne meri ek na suni or rone lagi.

.

Urvashi (rote hue)- Theek hai aap jaiyye, ab main Aapse kabhi baat nahin karungi,

Or dobara apna chehra bhi nahin dikhaungi.

.

Ab main duvidha me phas gaya, or apne man me sochne laga -

Main (apne man me)- Ye ladki to mera pichha hi nahij chhod rahi, ab isko kahan sambhalte firunga, ye achchha hai in ladkiyon ka, apni baat manvane ke liye rone baith jao,

.

Fir man hi man maine kuchh decide kiya or bola -

.

Main (urvashi ke aansu pochhte hue)- Chalo theek hai, ab apni notanki band karo, or kapde pack karo, par pitaji se permission zaroor le lena.

.

Ye baat sunte hi Urvashi ke aansuo ko break lag gaya, or vo masoom si shakal banate hue boli -

.

Urvashi (Masoom shakal bana kar smile karte hue)- Main kahan notanki karti hun, aap ne khamakha hi mujhe rula diya, aise hi nahin maan sakte the kya?

.

Uski aisi shakal or baaten sunkar meri hasi chhut gayi,

.

Main - Sach me tum bohot notanki karti ho,

Urvashi (apne dono hath band karke apni kamar par rakhte hue)-

Ab tumahara ho gaya ho to niche chalen,

Dinner bhi karna hai varna dev bhai se daat khane ko tayyar ho jao.

.

Main uski baat sunkar tez kadmo se niche ki taraf chal pada, or mujhe pichhe se urvashi ke hasne ki aavazen aati rahin,

.

Urvashi (pichhe se haste hue)-

Are bhai main bhi to aa rahi hun, ruko ek minute.

.

Main ruk gaya or usko sath lekar raat ka bhojan karne niche aa gaya,

Vahan hamne sabke sath hasi mazaak karte hue bhojan kiya or fir urvashi ne sabko mere sath jane ki baat batai,

.

Jisko sabhi ne haan kar diya, joravar ko mujhpar khud se zyada bharosa tha,

.

Hamne dinner finish kiya, or urvashi apne kapde pack karne chali gayi,

Or main dev bhai ko sath lekar garden me tehelne laga

.

thodi der baat karne aur tehelne ke baad dev bhai apne kamre me chale jaate hai aur main bhi chala deta hoon apne kamre me sone ke liye subah uth ke snan aur nasta karke chal deta hoon

Urvashi ke pass dupher tak uske sath baat karne ke baad main guruji ke pass chala jaata hoon

.

main-pranam gurudev

.

Gurudev-ayushmanbhava putr jao apni shaktiyo ka upyog karne ka abhyash karo

.

main-gurudev main konsi shakti ka abhyash karoon samajh nahi aa raha

.

Gurudev-putr joh tumhe sabse asaan lagti hai uska hi karo

.

main-gurudev mujhe toh sabse asaan kisi vastu ki shakti apne andar sohkna asaan lagta hai

.

Gurudev-(smile)-toh shuru ho jao

.

main gurudev ki baat sunke lohe ki koi vastu dhoondne lagta hoon tabhi gurudev mujhe ek shariya dete hai

jisse leke main uski takat sokhne ke baare me sochta hoon kuch pal ke liye mujhe apna sharir bahut sakht hota lagta hai

uske baad woh dubara normal ho jata hai jiski wajah se main gurudev ki taraf dekhta hoon toh woh mujhe dekh ke mushkura rahe the

Gurudev-(smile)-putr jitna tum soch rahe the yeh utna bhi asaan nahi hai iske liye bhi tumhe abhayas ki jarurat hai chalo ab dubara koshish karo

.

main dubara koshish karne lagta hoon aur mujhe pata hi nahi lagta kab raat ho jaati hai

abhyash karte hue lohe ko sokhne ki jisme main kuch hadd tak safal raha uske baad main apne ghar ki taraf chal diya jo ki paas ke wahansheher me tha, main ghar ke bahar pohcha par meri andar jaane ki himmat nahi ho rahi thi iss liye main kuch der bahar khada raha

Tabhi ghar ka gate khula aur ek bahut hi cute aur sundar ladki bahar nikalti hai jisse dekhte hi mere chehre pe smile aa jaati hai kyunki woh aur koi nahi meri di thi woh hath me thaila sa lekar kahin jaa rahi thi shayad sabzi ya kuchh or khareedne,

main apne aap ko rok nahi paa raha tha di se baat karne se iss liye main halke kadmo se unki taraf badhne lagta hoon abhi main thoda hi aage badha tha ki di ke samne ek van aake rukti hai

Jisme se kuch log utarte hai aur ek gunda tyoe aadmi di ke muh pe hath rakhta hai aur dusra unke pair pakadta hai aur dono milke unhe van me dalte hai

Aur teji se van bhaga lete hai main unke peeche bhagne ki koshish karta hoon lekin thodi dur hi pe hi van gayab ho jaati hai main wahin pe beth ke rone lag jaata hoon

Tabhi achanak mujhe apni shaktiyo ke baare me yaad aata hai aur main apni ankhe band kar leta hoon aur akriti ko pukarne lagta hoon mann me jald hi mujhe woh Akriti dikhne lagti hai

main-di ko woh log kahan le gaye hai

Akriti-yahan se thodi duri hi pe hi gaye hai woh log

main-kya tum meri bhagne ki speed bhada sakta hoon

Akriti-haan

main-theek hai

aur main uth ke uss taraf bhagne lagta hoon jis taraf Akriti ne kaha tha

To.... Be.... Continued
 
Back
Top