Update -- 2
Previous --
.
Ayush - Kuchh nahin Gurudev, main aapki shart se sehmat hun, jo aapki aagya hogi vahi main karunga.
.
Forward -
Wo aghori meri baat sun kar chintit suwar me bole -
.
Aghori - Theek hai balak, jaise tumhari ichcha,
aaj se tumhari shiksa shuru hogi,
jao jaake saamne pathar pe beth ke 10 minute tak dhayan lagane ki koshish karo.
.
[Baaki ke aghori vahan se kuchh door chale gaye the, dhiyan lagane ke liye,
Or us jagha par sirf ayush or vo aghori bache the jisko ayush ne apna guru maan liya tha].
.
(ab se us aghori ko "gurdev" kahunga aur ayush ko "main")
.
main (unke pair chhukar) : jo agya gurudev!
.
Ye kehkar main samne pathar pe beth ke dhayan lagane ki koshish karne laga toh jaise hi mera dhayan lagne laga gurudev ne apni puja - archna shuru kardi jisse mera dhayan bhang ho gaya toh main gurudev se nivedan karte hue bola -
.
Main : gurudev agar aap yahan puja karenge toh main dhayan kese lagaunga,
kyunki jese hi main shor sunuga toh mera dhayan bhang ho jayega.
.
Gurudev:- toh jab tum ladoge toh kya wahan shor nahi hoga tumhe aise hi dhayan lagane hoga, ye samajh lo ki kathinai abhi to shuru hui hai, iske aage tumhen isse bhi zyada manobal or atmabal ki zaroorat padegi,
chalo shuru ho jao,
.
Main : Jo aagya gurudev.
.
Aur main phir se dhayan lagane ki koshish karne laga,
mera dhayan 2 - 4 minute lagta aur toot jata,
.
lekin jaise hi gurudev ki puja puri hone mein 10 minute bache
mera dhayan laga raha aur maine pure 10 minute dhayan lagaya
Phir gurudev ke pas jake apne dono hath jodkar khada ho gaya
.
2 - 3 minute baad gurudev uthe aur ek kutiya (jhopdi) ki taraf ishara karte hue mujhse bole -
.
Gurudev :- ye sara samaan tumhe le ja ke wahan rakhna hai
main-gurudev main akela itna samaan keze uthaunga
kyunki waha bahut sara samaan tha jese puja ki samagri, aur bethne ke asaan, aise hi bahut sa saman tha jo havan kund ke ird - gird bikhra bada tha.
.
Gurudev :- tumhe ye karna hi padega,
maine pehle hi kaha tha ki tumhe meri sari bateen manani padegi,
agar tumhe sab kuch sheekhna hai toh aur in sab ke alava tumhe apne sharir ko garist bananai ke liye kasarat karni hogi,
toh agar tum itne sai bhaar sai daroge toh kuch nahi kar paaoge
.
Main :- ji gurudev main samajh gaya
(Maine dono hath jodte hue unse kaha)
.
[aur main ek baar jitna samaan le jaa sakta tha utna utha ke chal diya aur mujhe sara samaan lejakar us kutiya me rakhkar aane me ek ghanta aur laga,
main bahut thak gaya tha iss liye gurudev ke pas jake maine unhe bata diya toh gurudev ne mujhe ek dusri kutiya ki taraf ishara karte hue kaha-
.
Gurudev :- jao wahan jaake so jao lekin kal se tumhe jaldi uthna hoga aur der raat ko sona hoga,
.
main-ji gurudev main puri koshish karunga.
Gurudev - Koshish nahin, karna hi padega,
Ye sab itna aasan nahin hai, ab jao.
.
Main (hath jodkar sar jhukare hue) :- ji Gurudev.
.
aur main us kutiya mein chala gaya,
Jo ki ghaas phuso se bani hui thi,
.
.
Aur neeche sone ke liye ghas - phoos padi hui thi,
jo ki ek naram bistar se kam na thi.
Main uspar let gaya or thakaan ke karan thodi hi der me mujhe neend ne gher liya.
.
agli subah meri neend gurudev ke shankh bajane se khuli
.
.
Abhi main angdai le hi raha tha ki,
Gurudev ka dusra shishya mere paas aaya,
Or pani bhar ke lane ke liye sath chalne ko kaha, main uske sath chalne ke liye tayyar ho gaya,
Or phir hum pani lane chale gaye,
pani bhi bahut jyada tha,
aur jab hum dono pani le aaye uske baad
Gurudev ne mujhe snan lene (nahane) ko kaha…
maine paas ke jharne me jakar snan kiya
Snan karne ke baad main gurudev ke paas aya to unhone mujhe dhayan lagane ke liye kaha,
.
main bina koi sawaal kiye dhayan lagane beth gaya,
.
aaj phir kal jaisa hua 2 - 4 minute dhayan lagane ke baad baar - baar mera dhiyan bhang ho raha tha,
Bohot koshishon ke baad jakar dhiyan laga,
Or main ek lambe dhiyan me chala gaya,
.
phir jab main dhiyaan se uthkar guru dev ke pass aaya toh gurudev mujhse bole -
.
Gurudev :- jao aur jungle se sukhi lakdia ikatthi karke ke lao
.
main;- gurudev jangal me toh kaafi takatwaar or khatarnaak pashu bhi honge agar unhone mujhe haani pahunchai toh??
gurudev :- aisa kuch nahi hoga,
agar tumhe woh mile bhi toh tum bhaybheet mat hona bs apna kaam karna woh tumhe kuch nahi kahenge chalo ab bina sawal kiye jao,
.
Main - jee gurudev, jaisi aapki aagya.
.
main bhi bina sawaal kiye chal diya jungle me sukhi lakdiya dhundne,
.
jab me lakdiya dhoond ke ikatthi kar raha tha tab mujhe kayi pashu (janvar) dikhe
.
.
lekin main unse bina bhaybheet hue apna kaam karta gaya,
Wo bhi mujhe ek baar dekhte or aage nikal jaate.
.
Maine kaafi lakdiyan ikatthi kar li thin,
.
.
Maine unko jama karke ek gatthar banaya
Or lekar chal diya,
Abhi main thodi hi door chala tha ki meri halat kharaab hone lagi,
kyonki lakdiyan bohot bhaari thin,
.
lekin main phir bhi jaise - taise kisi tarah gurudev ki kutiya par pohcha,
.
aur ek ladke se puch ke lakdiya uss kutiya me rakh di, jahan bhojan banta hai,
.
Aise hi ghar ke kaam aur dhayan lagate hue ek hafta beet gaya,
ye hi mera nitye kiram (daily rutain) tha ki,
subah uth ke paani lana,
phir paas ke jharne me snan lena or
uske baad dhayan lagana,
aur phir jungle me jaake lakdiyaa lana ,
phir bhojan karna,
uske baad dopeher me thoda araam karna,
phir shaam ko bhi subah jaise karye karna,
.
aise hi ek hafta beet gaya ek hafte baad jab main dhayan laga raha tha tab mera dhayan pehli baar me hi 4-5 minute laga raha,
aur bakki karya karte hue bhi mujhe jada thakan nahi hui, kyonki ab mujhe iski aadat si padti ja rahi thi,
.
aur aise hi do hafte aur beet gaye aur aaj jab mene dhayan lagaya toh ek baar main hi dhayan lag gaya, toh gurudev mujhse bole-
.
gurudev :- ab se tumhe 20 minute dhayan lagana hai aur jada paani lana hai aur lakdiyaa bhi jada laana
.
main :-- ji gurudev
.
Main phie se dhiyaan me chala gaya, par 10 - 12 minute se zyada dhiyan nahin laga pa raha tha,
.
Jise dekhkar gurudev mujhse bole -
.
Gurudev - dhiyan lagate wakht, Bhool jao saari duniya ko, or unhen bhi jisne tumhen janam diya hai, bas ye socho ki tum yahan akele ho,
Or tumhara janm samaaj ki bhalai ke liye hua hai,
.
Gurudev ki baat ka asar mujhpar turunt hua or aaj pehli baar maine 15 minuta ka lamba dhiyan lagaya,
Jise dekhkar gurudev ne meri peeth thap-thapai, or phir mujhe jungle se lakdiyan lane ki aagya di,
.
Main bhi turant hi jungle ke andar ki or chal diya,
Jungle me pohoch kar maine lakdiyan ikattha karna shuru kar diya..
.
Pehle to maine utni hi lakdiyan uthai jitni main roz le kar jata tha, par phir mujhe gurudev ki aagya ki yaad aayi,
Isi liye main utni hi lakdiyan or chunne laga jitni roz lekqr jata tha,
aur iss baar dugni matra mai lakdiyo ka gatha banaya aur usko uthakar guruji ki kutiya ki or chal diya,
Abhi main kuchh hi door chala tha ki tabhi....
.
To... Be... Continued