guzaari ke farz anjaam dete the….yahan ke pur sukoon maahol mein unhe puri neend naseeb nahi hoti thi….jo 20 ghanton mein ba-mushkil tamaam
dedh-do ghante ki ghunoodgi (unineendapan) taari
hoti thi….ghunoodgi yun ke ghunoodgi ka ehsaas barkharaar rehta tha….is waqt raat ke 2 baje
the….
aur
neend unki aankhon se koson dur thi….kuch der wo
bedroom mein padhe rahe….
fir
bahar nikal kar porch mein aa khade hue….saamne
baagh andhere mein dooba hua tha….dur se gidadhon ki awaazein aa rahi thi….sardi aaj
zyada nahi thi….
isliye
unhone apne jism ke girdh halki ki shawl lapet
rakhi thi….bekhwaabi (insomnia) ka marz naya
nahi tha….har teen-chaar maah baad ek-aadh hafte
ka daura zaroor padhta tha….wo ek aaram kursi par bait gaye….saamne baagh ke girdh deewarein
to thi….
lekin
faatak nahi lagaya gaya tha….daakhile ke raaste
dono taraf khoobsurat khambe the jin par belein chayi hui thi….mashriqi ghoshe (purvi kone) mein pareendon ke liye unche-unche jungle banaye gaye the….jinme desh-desh ke khoobsurat pareende chachahaya karte the….!
sir sultan ne andhere mein aankhein gadha
di….fiza par wahi manhoos sannata chaya hua
tha….jiss mein jhinguron ki chayein-chayein bhi shaamil thi….kabhi-kabhi dur se gidadhon ki
awaazein bhi aati thi….
achanak
unhe bohath dur kisi gaadi ki head lights ki
chamak dikhayi di….
shayad
koi gaadi sadak se gaaun ki taraf mudhi….wo
chaunk padhe kyun ki koi unke paas aa raha hai….unhone chaukidar ko awaaz di….
jee sahab….saamne baagh ke kisi kone se usne
jawaab diya
dekho….shaher koi yahan aye to use devaan-khane mein le aana….main wahin hu….!
bohath behtar janab….
wo uth kar bedroom mein aye….
aur
yahan ka lamp utha kar devaan-khane ki taraf chal padhe….
thodi der baad unhone kisi gaadi ke engine ki
awaaz suni….
shayad
wo gaadi porch mein aa ruki thi….
fir
chaukidar devaan-khane mein daakhil ho kar bola….koi imran sahab hai….!
oh….sir sultan chakit andaaz mein
bole….bulao….bulao….
fir
wo uth kar thahelne lage….thodi der baad imran apna breifcase uthaye hue devaan-khane mein daakhil hua….
tum kab aye….? unhone garmjoshi se haath milaate
hue pucha aaj hi aya hu….
kya raha….?
fateh….
matlab yeh ke wo rahasamayi aadmi….
adlawa kahe lata tha….italy ki rahasamayi hukumat ka waali….
aur
bohathtar international ghaplon ka baais
(kaaran)….aakhirkaar maara gaya….report ek
hazaar safahaath (pages) par shaamil hai….kisi
waqt itminaan se dekhiyega….main to filhaal aap
se yeh puchne aya hu….ke aap ne meri ghair maujoodgi mein meri shaadi kyun kara di….?
aate hi bakwaas shuru kar di….baitho….baith jao….!
ab to sar par haath rakh kar baithna padhega….
aur
naak par rakhi hui ungli dekhni….
aur
noj sunni padhegi….!
kaisi bakwaas hai….?
15 din se koi “begum x-2” sulaiman ko bore kar rahi hai….!
sawaal hi nahi paida hota….sir sultan kursi se
uth kar bole
baith jaiye….wo mujhe puchti thi….
aur
aaj to maine hi unki call na sirf receive ki balki aap sunane ke liye record bhi kar li….!
jee main bol raha hu….janab-e-aala….imran ki awaaz ayi
tum kahan mar gaye the….? aurat ki awaaz ayi jee zara bathroom tak gaya tha….kisi ne doodh mein pithkari pila di thi….!
bakwaas mat karo….main puch rahi hu ke 15 din se kahan ghayab the….!
jee wo karokaasht kar rakhi hai….fasal kaatne
gaya tha….
fir
sabzi mandi mein tik jana padha….aap kaun hai begum sahiba….?
“begum x-2” arey baapre….!
kya matlab….?
us naam ka ek bada zaalim bomb hua karta tha….pichli jung-e-azeem (world war) mein….!
tumhari bakwaas sunne ke liye phone nahi kiya gaya….
to fir…mere layakh koi khidmath….
sahab ko malaria ho gaya hai….
“alhamdulillah”
kya kaha….
jee kuch nahi….chutthi par jate hi na the kisi tarah….machcharon ka bohath shukriya….!
bakwaas bandh karo….kaam suno….!
jee farmaiye….
kal subaah 3 murghiyan….dhai ser aaloo….
aur
bakre ki ek raan (thigh) bungle par pahuncha dena….!
kya machchar abhi bhi hai….?
kya matlab….?
sahab se to aadhi murghi bhi nahi chalti….!
shut-up….kahe kar silsila cut kar diya
gaya….imran ne tape-recorder ka switch off kar
diya
kya yeh wahi aurat nahi ho sakti….awaaz mujhe jaani pehchani si lag rahi hai….sir sultan ne
bharrayi hui awaaz mein kaha
jee nahi….yeh rushi ki awaaz nahi hai….
suno….jiss tarah mujhe maalum hai ke ek aurat tumhe ba-haisiyath x-2 jaanti hai….usi tarah kisi aur ko bhi ho sakta hai….!
aur jab main 3 murghiyan….
aur
dhai ser aaloo le kar us aurat ke paas pahunchu to picha karne wale maalum karle ke wo aurat
kaun hai….
aur
fir….us aurat ki shaamat aa jayegi….yun bataye ke x-2 kaun hai….ya apna hulia bigaadhwa baithe….!
nateeja nikaalne ke chakkar mein jaldbaazi se kaam na lo….pata nahi kya chakkar hai….tumhare kisi matahath se to phone par guftgu nahi ki….? jee nahi…abhi tak to aisa nahi hua….
aya….vidhyon ki ek bheed dinning se baramad ho rahi thi….wo ek kinaare hath kar raasta saaf hone ka intezar karne laga….uski taraf kisi ne dhyaan nahi diya….!
hall mein pahuncha to head-waiter uske haath mein camera aur flash gun dekh kar tezi se aage badha….!
aap yahan business nahi kar sakenge
janab….waiter ne bade adab se kaha
business….? kamaal karte ho main yahan business nahi lunch karne aya hu….!
tashreef rakhiye janab….
abhi mujhe apne ek dost ka intezar hai….
bohath behtar….idhar tashreef laaiye janab….usne ek mez ki taraf ishara kiya….aur counter ki taraf badh gaya….!
thodi der baad safdar bhi pahunch gaya….imran ne
haath hila kar apni taraf mutawaja (akarshit)
kiya….khareeb pahuncha to sar hila kar bola….bohath dino baad fanse ho….aaj bakra
zabaah kar dunga….
magar
chaar aane ser na bejunga….!
menu uthao….jo dil chahe wo mere liye bhi mangwa
lo….ab to yeh dekhna hai ke prince dawood waqai shahzada hai ya abhi uske maa-baap zinda hai….!
wo to shayad ab bhi dilshad wala mein hai….main uski gaadi wahin khadi dekhta hua aya hu….!
imran kuch na bola….
safdar ne menu se kuch dish chuni….
aur
waiter ko bula kar apna order likhwane laga….!
aa gaye shahzade sahab bhi….imran ahista se bola aur
safdar nazar ghair iradi taur par sadar darwaaze ki taraf uth gayi….!
wo sadia rani ke saath hall mein daakhil hua….
aur
waiter ne ek mez ki taraf unki rehnumai ki….!
main raat se sonch raha hu ke maine is shakhs ko
pahle kahin dekha hai….imran bola
prize fighter maalum hota hai….!
lagta to jaandar hi hai….!
aur yeh mohtarma bhi khaasi hai….!
lehaza….aap ki duty dilshad wala se khatm….!
main to samjha tha ke italy se wapsi ke baad hum log kuch dinon tak aaram karenge….!
italy mein kaun se pahaad dhaaye the aap ne….!
yeh to haqeeqat hai….alfrose mehmaan bana raha tha….!
yaar wo kayar tha….mujhe uske anjaam par arse tak afsos rahega….!
ab fir us khism ka chakkar maalum hota hai….yeh log bhi x-2 ke piche padh gaye hai….!
imran kuch na bola….
begum x-2 ki khoob rahi….safdar hans kar bola….x-2 ka is silsile mein kya khayal hai….!
wo sirf kaam lena jaanta hai….apna khayal nahi zaahir karta….!
khaasa mahzooz (manoranjan) hua hoga….!
shayad bechara mahzooz (manoranjan) hone ki salahiyath nahi rakhta….!
sadia ke driver hosh mein aya ke nahi….?
zehni halat thik nahi hai….
main mehsoos kar raha hu ke adlawa par haath saaf karne ke baad se aap kisi khadar itminaan mein ho gaye hai….!
yeh to ghalath hai….
albatta
andaaze ki ghalathi khabool kar lunga….!
huh….khanam nasreen….?
fir naam liya tumne uska….imran aankhein nikaal
kar bola
wapas….wapas….
itne mein waiter talab ki gayi cheezien laya….
prince dawood ki mez bhi khaali nahi thi….dono khaa rahe the….!
aaha….achanak imran chaunk padha….
fir
safdar ki aankhon mein dekhta muskuraya….!
khairiyath janab aali….?
yaad aa gaya ke shahzade sahab kaun hai….!
kaun hai….?
unke vaalid (pita) buzurgwar ka naam shahensha
khan tha….
isliye
yeh angrezi mein prince ho gaye hai….
waise
inki valida (maa) mohtarma bhi angrez thi….wo
jazeera (island) unki milkiyath hai jise tum jaise kalandar log ladkiyon ka jazeera (island) kahte hai….!
khuda jane….wo bhi hai ya sirf aurat….uski lailmi (agyanta) mein uske driver ne yeh harkat ki ho….!
to fir hume kiss par zor dena chahiye….?
aap ke liye to aurat hi munaseeb rahegi….aaj kisi-na-kisi haal mein mil baithne ki koshish karo….!
dekhunga….
achanak ek waiter prince dawood ke mez ki taraf
badha….
aur
jhuk kar ahista-ahista kuch kahne laga….!
prince ne churi aur kaanta plate mein rakh
diya….
aur
uth kar counter ki taraf chala gaya….shayad phone call thi….!
sadia rani ne apni car ki ghumshudgi ki report
zaroor likhai hogi….safdar bola
karayi hai….driver sameth ghumshudgi ki report….
lekin
ab driver to use nahi mil sakega….
albatta
gaadi shaher ke kisi-na-kisi hisse mein khadi
mil jayegi….wo bhi aisi haalat mein ke uska radio aur record player nikaala jaa chuka hoga….!
ohoo….
prince dawood apni mez par wapas aa gaya….
aur
sadia rani se ahista-ahista se kuch kahne laga….
fir
unhone mehsoos kiya jaise wo dono khane mein jaldi kar rahe ho….!
hume shayad jaldi karni chahiye….safdar bola agar….yeh is waqt kahin gaye to tumhe hi unke piche jana padhega….mujhe ek intehai ahem maamla dekhna hai….!
jaisi aap ki marzi….main to samjha tha ke aap unhi dono ke liye yahan aye the….!
aya to tha….
lekin
ab shahzade sahab ko pehchaan lene ke baad ek- aadh aur ko bhi check karna hai….!
safdar napkin se haath saaf kar raha tha….
achi baat hai….ab tum fir un dono ko dekhna….main to chala….
imran ne apna camera aur flash gun uthaya….
aur
hall se chala aya….ek baar fr seiko mansion se contact kiya….!
yeh maalum kar ke khushi hoti hai ke mohatarma sadia bhi french bol sakti hai….!
pronunciation durust nahi….!
wo main thik kar dunga….tum fikr na karo….
aur
ab wapas aa jao….aage main khud dekh lunga….aaj
ke lunch ka bahut shukriya….kal mere saath
paaya aur bakri ki boti khana….tata
sadia rani apne flat mein daakhil hote hi uchal padhi….saamne aaram kursi par neem daraaz adh khuli aankhon se use dekhe jaa raha tha….!
t….tu….tum….wo haath utha kar haklayi
haa madaam….maine kaha kyun na khud hi khidmath mein haazir ho jaaun….tum kyun khwaamkha pareshan hoti firo….!
yahan se chale jao….
varna
main police ko bulwa lungi….!
haa….imran lambi saans le kar bola….aakhirkaar maamla police hi tak pahunchega….!
k….ky….kya matlab….?
nahi pahunchega to tum bhi khanam nasreen ki tarah maar daali jaogi….!
mujhe khauffzada karne ki koshish na karo….
tum ne jo buzdili dikhayi hai….uske ilzaam mein
wo tumhe samandar mein fenk denge….khadam rakh kar to dekho white-eagle par….wahan khadi kyun ho yahan aa kar baith jao….do-do baatein kiye baghair wapas nahi jaunga….!
wo ladhkhate hue khadmo se aage badhi…. aur
uske khareeb ek kursi par baith gayi….!
wo ladki kahan gayi….?
kaun ladki….?
wahi jo do maah se ghayab hai….jo ek embassy
mein mulazim thi….baghair ittela ghair haazri
par uski mulazimath bhi jati rahi….do maah se uska flat bandh hai….kiraya chadh raha hai….!
main nahi jaanti wo kaun hai….
tum miss tamoti ko nahi jaanti….imran ne hairath
se kaha
fir
usne badi furthi se apni kursi na ulath di hoti to ek be-awaaz fire ne uska kaam tamaam hi kar diya hota….!
pistol ki naal bolcony wali khidki se daakhil
hui thi….goli bade guldaan par lagi….
aur
wo choor-choor ho gaya….!
imran khidki ki taraf jhapta hi tha ke niche
kisi gaadi ke start hone ki awaaz ayi….wo khidki
se bolcony par koodh gaya….lambi si kaali gaadi bahut dur jaa chuki thi….wo fir kamre mein wapas aya….!
sadia ab bhi farsh par padhi hui thi….
aur
uski rangat peeli ho rahi thi….!
nikal gaya….kaali gaadi thi….kya yeh mumkeen hai ke wo shahzade sahab hi rahe ho….imran ne use ghaur se dekhte hue kaha….
fir
usne kursi seedhi ki….
aur
use baitha diya….!
wo kisi khauffzada ke se andaaz mein ghumsum thi….!
imran ne toote hue guldaan se tukdon ke dher se
goli dhund nikaali….
aur
use badi savdhaani se apne coat ki andhruni jeb mein rakh liya….!
aise khelon mein yahin hota hai….maadaam….imran ahista se bola….khulaasa-e-raaz ke darr se kuch mohre apne hi haathon se peetne padhte hai….!
m….mm….mujhe bachao….wo haklayi
mumkeen hai….imran sar hila kar bola….
lekin
isi surat mein jab tum sab kuch sach-sach bata do….!
bata dungi….mujhe yahan se kahin aur le chalo….!
yeh bhi mumkeen hai….chalo utho….jo kuch saath lena hai le lo….!
usne ek suitcase mein jaldi-jaldi kuch cheezein
thunsi….
aur
chalne ke lie tayyaar ho gayi….!
flat ko bandh kar ke wo niche aye….imran ki
gaadi maujood thi….usne sadia se kaha….tum pichli seat par baitho….is par nazar rakhna ke picha to nahi kiya jaa raha hai….!
usne chup-chaap taamil ki….!
gaadi chal padhi….
thodi der baad sadia ne kaha….main nahi jaanti
ke tum kaun ho….
lekin
tum par bharosa kar lene ko dil chahta hai….tumhari aankhein imaandari ki si hai….!
khamoshi hazaar balaa taalti hai….filhaal is par amal karo….kahin chain se baithne ke baad hi guftgu hogi….!
abhi tak to nahi kaha jaa sakta ke picha kiya jaa raha ho….!
bas dhyaan rakhna….
thodi der baad imran ki gaadi rana palace mein
daakhil hui….black-zero wahan maujood
tha….joseph bhi tha….wo in dinon imran ke hidayath (nirdesh) ke mutabeekh hi wahan ruke hua tha….!
bahut gahre maalum hote ho….sadia gaadi se utar
kar chaaron taraf dekhte hue kaha
lamba business hai….charas-waras ka jhanjhat nahi paalte…..!
main nahi samjhi….!
distillery khol rakhi hai….france aur spain ki
aala tareen sharaab yahin tayyaar karta hu….
aur
videshi label laga kar unche daamon mein chala
deta hu….
agar
tum chaho to tumhe shakarkhand (rataalu) ki sharaab abhi pilwa sakta hu….!
shakarkhand ki sharaab….?
aur nahi to kya….angoor-wangoor kahan se launga….shakarkhand ki whisky ka jawaab nahi hai….red wine tamataron se tayyaar karta hu….!
lambi 420si ho rahi hai….
420si nahi….840si kaho….
fir
wo use behadh saje hue kamre mein laya….!
kya tumhara hi naam imran hai….? sadia ne pucha sawaalaat main karunga….tum nahi….!
pucho….kya puchna chahte ho….wo kursi par tikti hui boli
main tum se miss tamoti ke baare mein maalumaat haasil karna chahta tha….thik usi waqt kisi ne tum par fire kar tha….!
ek baar fir sadia ke chahre ka rang udh gaya….chandh lamhe kuch sonchti rahi….
fir boli….wo meri dost thi….darsal wo meri ek class fellow ki choti bahen hai….isliye humari jaan-pehchaan bahut puraani thi….6 maah pahle ki baat hai meri mulakhaat prince dawood se
hui….
aur
hum dost ban gaye….
fir
wo tamoti mein dilchaspi lene laga tha….ek din
achanak usne mujhse kaha ke tamoti ke aghwa mein
meri madad karo….main us par tayyaar nahi hui….tab mujhe usne ek bahut badi dhamki di….
aur
maine mehsoos kiya ke main blackmail ki jaa rahi hu….!
wo kiss tarah….? imran ne sawaal kiya
ab to sab kuch saaf batana padhega….sadia thandi
saans le kar boli….maine abhi koi aisa jurm nahi
kiya jiss sazaa maut ho….
baherhaal
prince ne mujhe ghair khanooni dawaiyon ki nakhl wa harkat mein shaamil kar diya….maakhool
(uchit) muaavza milta tha….
aur
khatra bhi koi nahi tha….mujh par shakh hi nahi kiya jaa sakta tha ke main dawaiyon ko ek jagaah
se dusri jagaah pahuncha thi hu….
lekin
ek baar ek jagaah chaapa padha….main to saaf nikal gayi thi….
magar
police ne wahan se kuch ungliyon ke nashaanath haasil kar liye the….jinme meri ungliyon ke
nashaanath the….
baherhaal
prince ne unhi nashaanath ke hawaale se mujhe
blackmail karna shuru kar diya tha….main chahti bhi to ab in logon ka saath nahi chhod sakti
thi….baar-baar mujhe yehi dhamki milti ke….
agar
meri nashaandehi karogi to main apni ungliyon ke nashaanath ki wajah se jail mein hongi….!
ooh….acha….!
ab agar….tum hi imran hoto….wo log tumhare khoon
ke pyaase hai….sirf tumhare hi nahi balki uske bhi jiss ne tumhe unka kaarobaar tahes-nahes karne ke liye italy bheja tha….!
ahaa….waah kya baat hui hai….
lekin
maine tum se tamoti ke baare mein pucha tha….!
wo ek launch par khaid hai….asal mein yeh launch
white-eagle birth number 3c mein langar andaaz hai….tamoti hi ne tumhare mataalookh unhe maalumaat pahunchai hai….!
apni khushi se to na batayi hogi….
main kahe chuki hu wo khaidi hai….uspar torcher kiya jata hai….bechari ki achi khaasi mulaazimat bhi gayi….!
aur ab tum bhi usi launch par jane wali
thi….imran ne kaha sadia kuch na boli….!
launch ne birth chhod di….
aur
shumaal-maghrib (north-west) ki taraf chal
nikli….uske aas-paas machwaaron ki kayi
kashtiyan harkat kar rahi thi….unhi mein se ek kashti ka taalookh seiko mansion se bhi tha….usme joseph, safdar, khawaar, aur siddqui thi….!
bazaahir wo ek machwaaron ki kashti thi….
lekin
waqt aane par jung kashti mein bhi tabdil ho
sakti thi….safdar doorbin se maghribi (west) hisse ka jayeza le raha tha….!
joseph unhe italy ke khisse suna raha tha….
lekin
unme se koi kuch nahi sun raha tha….unki aankhein white-eagle ki taraf lagi hui thi….!
x-2 ka hukm tha ke unhe nazron se ojhal na hone diya jaye….!
thodi der baad safdar deck se hatt kar un logon ke paas aa gaya….
ab joseph ne africa ke wehsathnaak jungon ki kahani chedh rakhi thi….!
to kya hume sirf picha hi karna hai….? khawar ne
pucha
bazaahir to yahi maalum hota hai….!
engine room mein jo shaksh maujood hai uske baare mein tum kya jaante ho….?
maine pahle kabhi use nahi dekha….safdar ne
jawaab diya
dekha to maine bhi nahi hai….
lekin
jiss raftaar se wo chewing-gum chaba raha hai isse mujhe shakh ho raha hai….!
jayenge….imran bola….waise mujhe yaqeen hai ke wo launch ka huliya badal ne ke liye use wahan
le gaye hai….rang-roghan….
aur
naam sabhi kuch badal kar rakh diya jayega….!
fir….is surat mein aap kya kar sakte hai….?
white-eagle ke khilaaf bhi filhaal pokhta saboot nahi hai….wo aurat sadia apna bayaan tabdil bhi
kar sakti hai….jo aurat uspar khaid hai….
agar
wo haath aa jaye to kaam chale….wo bhi isi surat mein ke white-eagle ke amle (staff) ka koi aadmi asal mujrim ki nashaandehi kar de….!
to fir….ab kiss baat ka intezar hai….?
zara thahero….raat kuch aur bheegne do….dawood ka jazeera (island) yahan se zyada dur nahi hai….!
mujhe to prince dawood hi is saazish ka sarghana lagta hai….!
iske imkaan (sambhavna) nahi….!
raat ke khane ke baad usne fir black-zero ki
call receive ki….
aur
usne bataya ke continental ke kamra number 104 se prince dawood ki laash baramad hui hai….kisi ne paishani par goli maar kar use halaak kar diya hai….aas-paas ke kamron mein fire ki awaaz nahi suni gayi thi….!
chaliye yeh bhi saabit ho gaya ke wo is silsile ki aakhri khadi nahi tha….!
mera to pahle hi yeh khayal tha ke wo mahez khilone ki haisiyath rakhta hai….!
thodi der tak khamoshi rahi….
fir
imran bola….ab hume yahan se langar utha dena chahiye….!
ahista-ahista launch ne sahil chhod diya….
aur
ab uska rookh usi jazeere (island) ki taraf tha jahan white-eagle langar andaaz hone ki ittela mili thi….!
isi dauraan imran ne transmeter par dobara
black-zero se contact kiya….
aur
uski taraf se jawaab milne par bola…. tumhe yaad
hoga ke ek laash burrito road wali imaarath mein
mili thi….
aur
imaarath ke maalik ne la-ilmi (agyaanta) zaahir
karte hue kaha tha ke wo imaarath arse se khaali
padhi hai….us shaksh ke taalookh puri maalumaat haasil karo….khaalon ka exporter hai….!
bahut behtar janab….!
over and all….!
launch samadar andhera seena cheerti hui mashriq (east) ki taraf badhti jaa rahi thi….is waqt
tamoj nahi tha….
isliye
safar mein koi khaas dushwaari pesh nahi aa rahi thi….!
safdar, joseph aur khawar rummy khel rahe the….siddiqui ung raha tha….imran engine room mein tha….!
launch tez raftaar se aage badh rahi thi….ek
ghante baad wo manzil par pahunche….
aur
jahan white-eagle ke langar andaaz hone ka
imkaan (sambhavna) tha usi point se khareeb do far-long idhar hi imran ne apni launch sahil se
lagayi….
fir
wo chaaron sukhi zameen par aye….jospeh ko launch ki nigrani ke liye wahin chhod diya gaya….do far-laong ka faasla unhone paidal hi tai kiya….!
imran ka yeh andaaza bhi durust hi nikla ke
white-eagla ka huliya tabdil kiya jaa raha
hoga….wo log petromax ki roshni mein badi tezi se us par dusra rang kar rahe the….sahil par
pura andhera tha….
aur
wo is andhere ka pura-pura faida uthane ka irada rakhte the….!
main paani mein utar kar launch mein pahunchne
ki koshish karunga….imran ne unse kaha….tum
teeno hoshiyaar rehna….bas ab apne naqaab nikaal lo….main nahi chahta ke is hungame ke pehchaana jaa saku….!
imran wo thaila saath laya tha….jiss mein frogman suite rakha hua tha….dekhte-hi-dekhte usne
wo suite pahena….
aur
paani mein utar gaya….
fir
ghota laga kar launch ke us hisse ki taraf jaa pahuncha jahan andhera tha….!
teen aadmi baayin (left) taraf wali sataah par rang kar rahe the….!
imran asaani se andhere pahlu wale sire par
pahunch gaya….rihaaishi (residental) cabin ke andar roshni nazar aa rahi thi….usne khidki se jhaank kar dekha….stool par ek jawaan aurat is haal mein baithi nazar ayi ke uske dono haath
peet par bandhe hue the….
aur
unaani (greek) captain pogas thode hi faasle par
baitha sharaab pi raha tha….jab bhi aurat ki taraf dekhta uske honthon par shaitaani muskurahath hoti….!
imran kaale naqaab ka nichla hissa gardan tak
khinch liya….
aur
aankhon ke alawa uska pura chehra choop
gaya….dusre pahlu ki roshni se wo cabin mein
daakhil hua….lambe fal wali do-dhaari churi uske haath mein thi….cabin mein pahunch kar wo ek dam seedha khada ho gaya….!
pogas ke haath se choot padha….!
awaaz na nikle….imran ne ahista se francisi mein
kaha….
varna
yeh churi tumhare dil mein pevast ho
jayegi….apne dono haath utha kar khade ho jao….!
pogas ne bechain andaaz mein palkein jhapkate
hue taamil ki….
aur
tum uth kar mere khareeb aao….imran ne aurat se kaha
thik usi waqt koi cabin mein daakhil hua….imran
badi furthi se ghooma….
aur
churi ki nok uski gardan par rakh di….awaaz na nikle wo bola
aane wala bhi hakka-bakka rahe gaya….usne pogas
ki taraf dekha….
aur
khud bhi dono haath utha diye….!
aurat ko khareeb bula kar imran ne uske haath
khol diye….
fir
pogas ko mukhatib kar ke pucha….is launch ka maalik kaun hai….?
main hi hu….wo bharrayi hui awaaz mein bola
is aurat ko uski marzi ke khilaaf rakhne ke jurm mein tum jahunnum raseed bhi ho sakte ho….!
yeh chor hai….isne mere 10 hazaar dollar chura liya hai….!
tum khanoon ko haath mein lene wale kaun hote ho….?
pogas kuch na bola
imran ne dusre aadmi se kaha ke wo bhi pogas ke khareeb hi khada ho jaye….usne chup-chaap taamil ki….!
ab sawaal yeh tha ke wo aurat ko nikaal le jane
ke liye kaunsa raasta ikhtiyaar kare….us sameth
paani mein utarna na-mumkeen tha….zameen par
utarne ke liye petromax ki roshni mein aana laazmi tha….bas ek hi surat thi ke wo pistol
nikaalta….
aur
khidki ki taraf haath badha kar petromax par fire kar deta….silencer laga hua pistol hostler
mein maujood tha….
bas fir
yahi hua….andhera hote hi koi cheekha….yeh kya hua….?
itne mein imran pistol ka rookh un dono ki taraf kiye hue cabin se nikla….churi peet par latki
hui myaam mein rakh di….
aur
baayaan (left) haath se aurat ka haath pakad rakha….!
dono dham saadhe khade rahe….
aur
imran nikal chala gaya….deck par pahunchne par aurat ko utha kar usne khaande par laadh liya….
aur
sahil par utar jane ki koshish kar hi raha tha
ke….ek aadmi uth kar aya….dusre lamhe mein pistol ka dasta puri taaqat se uske sar par
padha….wo chakra kar gira…. aur
imran ne zameen par chalaang laga di….
fir
launch par sabhi cheekhne lage….dekho bach kar na jane paaye….koi zor se cheekha….!
imran ne mudh kar awaaz ki taraf fire kiya….ek cheekh sannate mein dur-dur tak laherati chali
gayi….aurat ab bhi uske khaande par thi….
aur
wo us taraf daud raha tha….jahan uske saathi uske intezar mein the….!
shayad….be-awaaz fire ne unhe is hadh tak khauffzada kar diya ke wo picha karne ki harkath na kar sake….!
kuch der baad wo chaaron apni launch par nazar
aye….
aur
imran ne wahan se bhi langar utha diya….
lekin
unhone abhi tak apne naqaab nahi utaare….!
aurat khauffzada nazron se dekhe jaa rahi thi….!
use engine room mein le aao….achanak unhone
imran ki awaaz suni
siddiqui use engine room le gaya….!
imran ne naqaab utaar diya….
lekin
pehchana nahi jaa sakta tha….
kyun ki
ab bhi make-up mein tha….!
siddiqui use engine room mein chhod kar wapas chala gaya….aurat imran ko khauffzada nazron se dekhe jaa rahi thi….!
baith jao miss tamoti….imran ne stool ki taraf
ishara kar ke narm lahje mein kaha
wo chup-chaap baith gayi….
lekin
sawaaliya nazron se imran ko dekhe jaa rahi thi….!
do saal pahle tum foreign-department ke t.s.s ki assisstant keeper thi….!
j….j….je….jee haa….!
ab kisi embassy mein ho….?
do maah pahle ki baat hai janab….ab to mujhe maalum bhi nahi ke mulazimath ab tak barqaraar hai ya khatm ho gayi hai….!
khulaasa karo….!
main do maah se us launch par khaid thi…..!
kyun….?
wo mujhse t.s.s ke kuch file ke baare mein
maalum karna chahte the….
lekin
aap….aap kaun hai….?
sirf sawalaat ke jawaabaat chahta hu….imran ne sard lahje mein kaha
agar….wo sirf meri zaat tak hi mehdood (simith) hue to zaroor jawaab dungi….! t.s.s se taalookh….
to ab koi dusra raasta ikhtiyaar kiya hai tum logon ne….taaki main tum par bharosa kar saku….!
iska bhi khulaasa chahunga miss tamoti….!
main achi tarah samajhti hu khanoon ke muhaafiz naqaab posh nahi ho sakte….!
lekin….wo naqaab posh bhi hai….
aur
khanoon ka muhaafiz bhi….jiss ki begum ka role tum ada karti rahi ho….!
wo baukhla kar stool se uth gayi….!
baitho….baitho….wo aisa hi kamzor hota to kabhi ka be-naqaab kar ke maar diya gaya hota….!
aurat bahut zyada khauffzada nazar aane lagi….!
baith jao….!
aurat baith gayi….thodi der baad bharrayi hui awaaz mein boli….jab meri taaqath ne saath diya wo mujhse kuch bhi maalum nahi kar sake….!
kya khayal hai….kahin wo tumhari embassy se to taalookh na rakhte ho….?
ho sakta hai….wo baherhaal ek videshi embassy hai….!
tumne foreign-department ki mulaazimath kyun chhod di thi….?
meri sehath bahut kharaab ho gayi thi….
aur
fir….mujhe apni ek be-aulaad beemar chachi ki
dekh-bhaal bhi karni thi….unke paas itna paisa tha ke hum dono ba-asaani zindagi basar kar
sakte the….fir….
achanak
unka inteqaal (death) ho gaya….
aur
mujhe maalum hua ke wo bahut zyada karz mein thi….karz ki aadayegi mein sab kuch haath se nikal gaya….yahan tak ki makaan bhi bechna
padha….
baherhaal
fir….mujhe guzare ke liye mulaazimath karni
padhi….
lekin
main mar jaana gawaara kar sakti thi….
lekin
hosh-o-hawaas mein mujhse namak-haraami sarzard
nahi ho sakti….maine is mulk ka namak khaya
hai….yahin mitti se uthi hu….awwal to jaanti hi kya thi jo wo mujhse kuch maalum kar sakte….x-2 ek farzi naam hai….jisse foreign-department ke
kayi afraad waqif hai….
aur
file mein is hadh tak maalum ho sakta tha ke
imran x-2 ke liye kaam karta hai….
aur
sir sultan ke alawa ek aurat bhi x-2 ki asliyath
se waqif hai….
aur
yeh bhi wo log meri taaqath barqaraar rehni ki
hadh tak maalum nahi kar sake the….
fir
unhone ek din mere baazu mein koi cheez inject
kar di….
aur
mera zahen meri giraft se bahar ho gaya….unhone wo sab kuch ugalwa liye jo kuch mujhe maalum
tha….
fir
injection hi de kar wo mujhse phone par imran ko
call karte rahe hai….main unhi ke kahe hue jumle
dohraati rahti hu….jab tak injection ka asar rehta hai main khud par control nahi kar sakti….!
mera khayal hai ke tum jhoot nahi bol rahi….!
kam-az-kam main imran jaise pyare aadmi ko kisi dushwari mein nahi daal sakti….!
kya tum usse zaati taur par waqif ho….?
bas dur se dekhti rahi hu….!
fir….usne imran ke kahne par apni kahani unhi alfaaz mein doharayi jo wo sadia ki zubaani sun chuka tha….!
ab khuda ke liye bata di jiye ke aap kaun
hai….wo gadhgadhayi
ab tum x-2 ki hifazath mein ho….!
khuda ka lakh shukar hai….
varna
iski naubath bhi aa sakti wo t.s.s ke dusre records ke baare bhi mujhe pareshan karte….!
prince dawood ke baare mein tum kya jaanti ho….?
bas yahi ke wo ek jazeera (island) ka maalik
hai….sadia hi ne usse milaya tha….main nahi jaanti ke wo kiss khism ki aurat hai….!
kya embassy walon se bhi uska mel-jhol tha….?
nahi….maine to kisi ke saath bhi nahi dekha….!
kashti par kul kitne aadmi the….?
captain sameth 7 aadmi….!
un saathon ke alawa bhi kisi aur ko dekha tha….?
nahi….kabhi-kabhi sadia ki awaaz barabar wale
cabin se sunai deti thi….
lekin
usne kabhi mera saamna nahi kiya….!
prince dawood….?
nahi….wo kabhi nahi dikhayi diya….pogas bazaahir to unaani (greek) aur francisi ke alawa aur koi
zabaan nahi bol sakta….
lekin
dar haqeeqat urdu bhi bahut achi tarah se bol sakta hai….!