• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Begum x-2 ibne safi

acha….tum khud ko khattai mehfooz samjho….

lekin

yeh abhi munaseeb na hoga ke apne flat mein

jao….uska kiraya adaa kar diya jayega….

aur

mujrimon ke pakde jaane ke baad koshish ki

jayegi ke tumhari embassy wali mulaazimath bahaal ho jaye….!

bahut bahut shukriya janab….aap bahut ache aadmi hai….koi dusra meri baaton par itni jaldi bharosa nahi karta….!

x-2 ba-khabar aadmi hai….!

bade baalon wale lambe chaude aadmi ki launch

mobar ke sahil se lag chuki thi….

lekin

wo zameen par nahi utra….cabin mein baitha kuch sonch raha tha….!

launch par uske aur stroker ke alawa aur koi

nahi tha….usne stroker ko awaaz di….so mat jana….main do-teen ghante baad wapas aa jaunga….!

bahut behtar janab….!

launch maghribi (west) sahil par langar andaaz

thi….yahan aur bhi kayi launch….

aur

machwaaron ki kashtiyan maujood thi….!

wo apni launch se utar kar andhere raaste par

nikal padha….raat ke do baje the….

aur

uske vazni jooton ki awaaz sannate mein dur-dur

tak gunj rahi thi….khareeb aadha mile dur paidal

chalne ke baad wo ek imaarath ke saamne

ruka….jiss ki ek hi khidki mein dhundli roshni

nazar aa rahi thi….wo ahista-ahista aage badha….jeb se kunji (key) nikaal kar ek darwaaze

ka khufal (lock) khola….

aur

andar daakhil ho kar darwaaza bandh kar ke jeb

se pencil torch nikaali….roshni ki patli si

lakeer se sahare wo andhere mein aage badhta raha….kayi darwaazon se guzaar ne ke baad wo seedhiyon ke khareeb pahuncha….18 seedhiyon ne

use upari manzil par le gaye….

aur

fir

ek bandh darwaaze par usne zor se dastak di….!

kaun hai….? andar se gunjili awaaz ayi shahed….!

darwaaza khula….

aur

wo andar daakhil ho gaya….saamne gol mez ke girdh chaar aadmi baithe taash khel rahe the….

aur

paanchve ne darwaaza khola tha….!

boss ke liye buri khabar hai mr.shahed….paanchve

ne kaha

boss ke liye kabhi koi khabar buri nahi hoti….!

baherhaal….pogas ki launch ki khaidi aurat ko koi utha le gaya….be-awaaz fire kar ke usne ek

aadmi ko zakhmi bhi kiya hai….

fir

usne puri kahan dohraadi….!

shahed ki paishani par salutein ubhar ayi….wo

thodi der tak kuch sonchta raha….

fir

bola….launch ko doobo diya jaye….

aur

uske amle (staff) ko pogas sameth yahan rakha

jaye….

aur

agle aadesh tak unhe ek minute ke liye bhi bahar

na jane diya jaye….hatta ke wo kisi aisi jagah bhi na khade ho jahan se unke dekhe jane ke imkaan (sambhavna) ho….!

bahut behtar janab….!

aur ek hafte tak koi launch sahil nahi chhodegi….!

yeh kaise mumkeen hai mr.shahed….wo log bahut bechain hai….!

unse kahe do ke coast-guard chaukanne ho gaye hai….sahil chhodna khatarnaak hoga….!

unme se zyadatar aise bhi hai jin ke paas khane ke paise bhi nahi hai….!

unke kharch apne zimme lo….boss yahi chahta hai….!

hum dushwaari mein padh jayenge mr.shahed….!

boss ka hukm tum tak pahuncha diya….ab tum jano….!

shahed wapsi ke liye mudh gaya….imaarath se

bahar nikal kar darwaaza bandh kar ke uske

khareeb ka dusra darwaaza khola….yeh ek chota

kamra tha jiss ke bich ek motorcycle khadi

thi….motorcycle bahar nikaal kar usne darwaaza

bandh kiya….thodi der baad wo motorcycle par

baith kar mashriqi (east) sahil ki taraf jaa

raha tha….sannate mein motorcycle ke engine ka

shor dur-dur tak fael raha tha….mashriqi (purvi) sahil par pahunchne mein 10, 12 minute lag

gaye….usne motorcycle ek taraf khadi ki….

aur

ek badi kashti ki taraf chal padha….kashti shaandar thi….kashti ke deck par khade hue guard

ne lalkaara….

aur

jawaab mein shahed bola….captain se kaho ke shahed hai….!

wo so rahe hai…..!

jagaa do….emergency….!

guard ne kisi aur ko awaaz de kar shahed ka paighaam sunaya….!

shahed birth par khada raha….

kashti bahut badi thi….

aur

uspar bane hue cabins tadaad mein kayi maalum hoti the….!

thodi der ke baad guard ki awaaz ayi….aap upar

aa sakte hai mr.shahed….

aur

shahed ke upar pahunchne par usne edhiyaan

bajai….

aur

use ek cabin tak laya….!

shahed ne darwaaze par dastak di….!

aa jao….andar se awaaz ayi….

aur

shahed darwaaza khol kar andar pahuncha….saamne

ek lamba aadmi ek aaram kursi par neem daraaz

tha….usne isi tarah lete hue haath aage badha diya….koi khaas baat mr.shahed….?

haa….captain rathore….!

baith jao….!

boss ka khayal hai ke hum ne madhu-makkhi ke chatte ko chedh diya hai….!

main nahi samjha mr.shahed….!

wo log miss tamoti ko humari launch se nikaal le gaye….!

wo kiss tarah….?

shahed ne kahani dohraadi…. aur

use bataya ke isi chakkar mein unka ek behathreen aadmi prince dawood bhi maar diya gaya….!

yeh to bahut buri khabar hai….!

mere boss ne yeh sab kuch tumhare boss ki dosti

ke ehteram (sammaan) mein kiya hai….

varna

wo to sirf apne kaam se kaam rakhta hai….!

ab to us shaksh ko mar jana chahiye mr.shahed

jiss ka naam imran hai….captain rathore ne

kaha….usne italy mein humare gaanje ka business

tabaah kar diya….tumhari charas ka market kharab

kiya….meri samajh se to ab x-2 ka chakkar hi

chhod do….wo khud to kaam karta nahi….dusron se

kaam leta hai….lehaza uske field operators ko

khatm kar dena chahiye….mujhe prince dawood jaise pyare dost ki maut par afsos hai….ab uska waaris kaun hoga….?

uska bada beta….tariq

hum uski dekh-bhaal karenge mr.shahed….apne boss

se kahe dena pareshaani ki koi baat nahi….hum

bhi sheh se bachne ke liye kabhi-kabhi apne behathreen mohre pitwa dete hai….bas ab imran ko

gherne ki koshish ki jaye….

fir

usne almaari se sharaab ki bottle….

aur

glass nikaale….

aur

dono pine baith gaye….!

to fir ab kya khayal hai….? rathore ne kuch der baad pucha

bas ab use gher kar khatm kiye dete hai….!

mera boss uske naam se bhadak uthta hai….rathore bola

yahi haal mere boss ka hai….shahed ne lambi

saans le kar kaha….mushkil yeh hai ke imran

sharaab….

aur

aurat ka rasiya nahi hai….

varna

kabhi ka maar liya gaya hota….!

aise log dukhiyaron ki madad zaroor karte

hai….rathore bola

tum kya kehna chahte ho….?

kisi dukhiyari ladki ko uske saamne kar diya jaye….!

oooh….yeh baat to hai….

fir

jaise hi wo uski madad ke liye maidaan mein ayega hum use maar denge….!

imran tamoti ko seiko mansion le aya….

aur

medical section mein uska muaaina kiya gaya….

lekin

khoon mein us mahlol (solution) ka suraagh nahi mil saka jo uske baazu mein inject kiya jata

raha tha….

baherhaal

ab uski aankhon mein zehni pareshaani zaahir

nahi hoti thi…. fir

jab imran apni asal shakl mein uske saamne aya to wo foot-foot kar rone lag gayi….!

fikr na karo….imran uska shaana thapak kar bola….sab thik ho jayega….main tumhari kahani sun chuka hu….!

isme zarra barabar bhi jhoot nahi hai….!

mujhe yaqeen hai….pareshan hone ki zaroorat

nahi….

fir

uske liye kahin se phone call ayi….

aur

wo us kamre se nikal kar operation room mein aya….!

dusri taraf se black-zero ki awaaz ayi….aap ne

nadar chandhwala se mataalookh maalumaat haasil

ke hidayath (nirdesh) diye the….wo buniyaadi

taur gadhol district ke kazbaa chandhla ka

bashinda hai….uske baap ne mazhab tabdil kar ke

yahan ki shahriyath (nagarikta) ikhtiyaar kar

li….wo ek daulatmand exporter hai….kayi launch

yahan se khalij ki riyasaton tak chalti hai….shakh hai ke smuggling bhi karta hai….waise uske khilaaf koi pokhta saboot nahi mil saka….!

thik hai….uski nakhl-o-harkath par nazar rakhi jaye…..!

bahut behtar janab….dusri taraf se awaaz ayi….

aur

imran ne phone ka silsila cut kar

diya….operation room se jana hi chahta tha ke ek operator ne use dusri call ki ittela di….!

is baar line par dusri taraf sir sultan

the….tumhe maalum hoga ke prince dawood ki laash continental ke ek kamre mein mila hai….!

jee haa….imran bola

lady dawood ne is silsile mein mujhse madad talab ki hai….!

bhala aap kya kar sakenge….?

tum to kar sakoge….sir sultan ke lahje mein jhunjhulahath thi

kya aap ko maalum hai ki prince dawood bhi is khisse mein shaamil tha….!

kiss khisse mein….?

wahi begum x-2 wala….!

pata nahi tum kahan ki haank rahe ho….!

yaqeen ki jiye….use raaz khulne ke darr se khatl

kiya gaya hai….

shayad

wo jaanta tha ke asal mujrim kaun hai….!

tumhe shayad maalum na hoga uska baap shahensha khan mere khaas doston mein se tha….!

oh….to isliye lady dawood ne aap se darkhwaast ki hai….!

yahi baat hai….!

achi baat hai….main kisi ko dariyaaft haal ke liye bhej raha hu….!

kuch na kuch to hona hi chahiye….jise bhi bhejo samjha dena ke puch-gaach ke silsile mein mera hawaala zaroor de….!

bahut behtar janab….!

dusri taraf se silsila cut hone ki awaaz sun kar

usne bhi receiver rakh diya….

fir usne safdar ko bula kar is kaam se taalookh

khaas hidayathein (nirdesh) di….

aur

prince dawood ke jazeere (island) ki taraf rawana kar diya….!

in dino imran seiko mansion tak hi mehdood

(simith) ho kar rahe gaya tha….

aur

make-up ke baghair bahar nahi nikalta tha….!

5 baje shaam ko usne fir black-zero ki call receive ki….

wo kahe raha tha….safdar civil hospital ke emergency ward mein behosh padha hai….uske saare

jism se khoon ris raha hai….

shayad

use barhana (nanga) kar ke chamde ke chabook se pita gaya tha….wo bandargaah ke ilaaqe mein behosh padha mila tha….!

khabar achi nahi hai….tum sab civil hospital ke

aas-paas raho….main pahunch raha hu….uski

aankhon mein gehri chinta ke saaye the….usne sir sultan se contact kar ke safdar ki haalath se aagha kiya….!

hairath hai….sir sultan ki awaaz ayi….aisi surat

mein yaqeen ke saath nahi kaha jaa sakta ke wo jazeere (island) tak pahunch bhi saka tha ya nahi….!

yaqeenan pahuncha hoga….

aur

waapsi mein wo log wahin se uske piche lag gaye honge….!

thik kahte ho….

varna

unhe kaise maalum hota ke wo kaun hai….achi baat

hai….main dawood ki biwi se phone par guftgu kar ke tumhe abhi aagha karta hu….operation room hi mein maujood raho….!

bahut behtar….imran receiver rakh diya…. ab uski aankhon jhunjhulahath ke asaar the….!

thodi der baad sir sultan ki call ayi….tumhara khayal durust nikla….wo kahe rahe the….safdar

wahan pahuncha….

aur

usne mere hawaale se dawood ki biwi se puchgaach ki….!

acha….to ab aap fauri apne personal assisstant ko civil hospital bhejiye taaki wo safdar ki

dekh-bhaal kar sake….

darasal

yeh jaal mere liye bichaya gaya hai….

aur

haa….shaher ke alag-alag hisson se laashein

uthwane ki zimmedari aap ki hogi….imran ne dusri taraf se aage kuch sune baghair receiver cradle

par patak diya….

fir

wo make-up mein bahar nikla….

aur

civil hospital ki taraf rawana ho gaya….!

safdar abhi tak behosh tha….sir sultan ka personal assisstant uske strecher ke khareeb

maujood tha….

aur

use wahan se special ward mein shift karne ke intezaam ho rahe the….yahan khaasi bheed thi….

lehaza

yeh andaaza karna mushkil tha ke behosh safdar

nigrani karne wale kitne hai….khud imran ke matahath imaarath ke irdh-girdh maujood the….!

safdar special ward ke ek aaram daah kamre mein

pahuncha diya gaya….

aur

use hosh mein laani koshish ki jaane lagi….!

imran kamre ke bahar hi thahelta raha….raahdaari mein wo tanha nahi tha….kayi aadmi aur bhi the….!

sir sultan ka assisstant kamre mein tha….thodi

der baad wo bahar nikla….

aur

sadar darwaaze ki taraf chal padha….uske piche do aadmi aur bhi the….assisstant apni gaadi mein jaa baitha….wo khud drive kar raha tha….!

uske piche chalne wale aadmi bhi ek gaadi mein

baith gaye….assisstant ki gaadi harkath mein aate hi unki gaadi ka engine bhi start ho gaya….!

imran ki gaadi un dono ki gaadi ke piche thi….usne itna faasla barqaraar rakha tha ke picha karne ka shakh na ho sake….!

assisstant shayad model colony mein rehta

tha….isliye use ek veeran raaste se guzarna padh raha tha….

achanak

uska picha karne wali gaadi ki raftaar tez ho

gayi….

shayad

wo usse aage nikal jana chahte the….

fir

imran ne dekha ke aage nikal kar wo sadak par

tirchi hui….

aur

achanak ruk gayi….!

assisstant ke break ki awaaz sannate mein gunj uthi….wo agli gaadi se shayad sirf ek foot ke faasle par ruki….!

agli gaadi se dono aadmi utar kar assisstant ki gaadi ke khareeb aye….!

imran usi raftaar se gaadi chalata raha….jisse shuruat ki thi….!

un dono ne assisstant ki gaadi ka darwaaza

khola….

aur

use zabardasti niche utaar rahe the….!

imran ne accelerator par dabau dala….

aur

saath hi jeb se dart gun bhi nikaal li….!

un dono mein se ek uchal kar sadak ke niche na

utar jata to imran ki gaadi ki takkar zaroor lag

gayi hoti….dusre ka haath jeb ki taraf gaya hi tha ke imran ki dart gun se fire hua….wo

ladhkhada utha….

aur

muh ke bal sadak par gir gaya….pahla aadmi apni gaadi ki taraf bhaaga….

lekin

uska bhi wahi anjaam hua….jo dusre ka hua tha….!

imran dart gun jeb mein rakhta hua gaadi se niche utar aya….!

t….tt….tu….tum kaun ho…..? assisstant haklaya

chup-chaap gaadi mein baitho….

aur

chalte firte nazar aao….!

usne be-basi se agli gaadi ki taraf dekha….ispar imran ne kaha….apni gaadi back kar ke sadak ke

niche utaaro….

aur

aage badh jao….sir sultan se kahe dena ke khel shuru ho gaya hai….!

lekin….main to police ko ittela dunga….!

jaldi karo….imran aankhein nikaal kar ghurraya

assisstant ne baukhlaye hue andaaz mein taamil ki….!

uske chale jane ke baad imran ne un dono behosh

aadmiyon ko utha kar apni wagon ki pichle hisse

mein daala….

aur

ab seiko mansion ki taraf rawana ho gaya….un dono ki gaadi usi position mein khadi rahne di jaisi roki gayi thi….!

wo dono ek pillar se bandhe the….

aur

imran ke haath mein chamde ka chabook tha….unke jism ka upari hissa barhana (nanga) kar diye gaye tha….!

kyun doston….? imran chidane ke se andaaz mein bola….kya tum ne uske zakhmon ki ginti ki thi….?

hum kuch nahi jaante….hum se kaha gaya tha ke jo koi bhi use dekhne ke liye aye use utha le jane

ki koshish karo….

shayad….

chabook uske seene par padha….wo bilbila utha

kiss ke liye kaam karte ho….imran ne dusre par

haath raseed karte hue pucha boss ke liye….!

boss kaun hai….?

koi nahi jaanta….shahed naami aadmi uske liye hum se kaam leta hai….!

kahan rehta hai….?
 
koi nahi jaanta….wo hum mein se har ek ko phone

kar ke kisi ek jagah aa khada karta hai….

aur

kaam bata deta hai….!

asal kaam kya hai….?

yeh hum nahi jaante….!

agar tum se kisi ko usse contact karne ki zaroorat pesh aa gayi to kaise karte ho….?

ek phone number hai humare paas….koi aurat call

receive karti hai….

aur

shahed tak paighaam pahuncha deti hai….!

tum ne maalum karne ki koshish ki hogi ke number kiss ka hai….?

jee haa….!

kahan ka….?

civil hospital ke extension ka….!

wo aurat kaun hai jo call receive karti hai….?

yaqeen ki jiye aaj tak nahi maalum ho saka….!

shahed ka hawaala kiss tarah dete ho….?

bas kahe dete hai ke shahed sahab ke liye paighaam hai….!

imran ne phone number note kiya….

aur

khareeb khade hue aadmi ko chabook pakda kar wahan se chala gaya….!

operator room mein aa kar usne operator number 4 ko ek paighaam note karaya…..!

likho….shahed ke liye….tumhare wo dono aadmi jo zakhmi aadmi ki nigrani kar rahe the….khud

zakhmi halath mein tip-top night-club ke pichle park mein behosh padhe hue hai….unhe utha lo….!

operator ne paighaam note kiya….

fir

imran ne wo number likhwaya jiss par paighaam dena tha….!

thik 9:25 ko yeh paighaam bheja jayega….imran ne

operator se kaha

bahut behtar janab….!

phone number ke niche ehtiyatan waqt bhi likhlo….9 baj kar 25 minute….!

thik 8 baje imran fir civil hospital pahunch

gaya….

aur

ab wo nakchade andaaz wale readymade make-up mein tha….!

safdar ke baare mein ittela mili ke wo hosh mein

aa gaya hai….

lekin

use injection de kar dobara sula diya gaya hai….!

9 baj kar 15 minute par imran us kamre ke saamne

pahuncha jaha hospital ka extension tha….ek

jawaan aurat kaano par headphone chadaye baithi

thi….imran khidki ke khareeb khada use dekhta raha….ghadi par bhi baar-baar nazar padh rahi thi….thik 9 baj kar 25 minute par usne operator

jaldi-jaldi kuch likhte dekha….

fir

usne mez ki daraaz se ek lifaafa nikaal kar padh

se kaagaz alag kiya….

aur

use tah kar ke lifaafe mein rakh diya….ek baar

phone kar ke mouth-piece mein kuch kaha….

aur

lifafa saamne rakh kar baithi rahi….!

thodi der baad ek aadmi kamre mein daakhil

hua….aurat ne lifaafa uski taraf badha diya….wo bahar nikla to imran munaseeb faasle se uska picha karta raha….!

civil hospital ke compound hi ki ek imaarath ke faatak par lage hue letter box mein usne wo lifaafa daal diya….!

imran jahan tha wahin ruk gaya….

fir

shayad….10 minute baad ek aadmi ne letter box

khol kar lifaafa nikaala

aur

compound ke faatak ki taraf chal padha….bahar nikal kar wo faatak ke khareeb hi khadi hui ek motorcycle start karne laga….!

ittefaaq se imran ne bhi apni gaadi usi ke

khareeb park ki thi….jaise hi motorcycle harkath

mein ayi….imran ne bhi apni gaadi ka engine

start kiya….thodi der baad imran ne mehsoos kar

liya ke motorcycle us sahil tafreehgaah ki taraf

jaa rahi hai….jahan beshumaar lakdi ke hut bane

hue hai….sadak bilkul sunsaan padhi hui thi….

isliye

picha karne mein koi dushwaari pesh nahi aa rahi thi….toll tax ki chauki par motorcycle roki

gayi….imran ne apni gaadi bhi roki….

aur

toll tax de kar fir aage badh gaya….umeed thi ke

motorcycle piche aa rahi hogi….

lekin

teen-chaar far long badh aane ke bawajood uski headlights mirror mein na dikhayi di….usne apni

gaadi sadak ke niche utaar kar rok di….

aur

sonchne laga….kya uski duty mahez chauki tak thi

to iska matlab yeh hua usne toll tax ke bajaye

lifaafa hawaale kiya tha….tab to choth ho gayi….ab lifaafe ka suraagh milna mushkil tha….khareeb 15 minute tak gaadi usne wahin roke

rakhi….

fir

sahil ki taraf rawaana ho gaya….hut ki is basti mein teen hut uske apne mahekme se taalookh

rakhte the….

aur

uski kunjiyaan (keys) usi ke paas rahti thi….birth par ek launch bhi rahti thi….

achanak

usne prince dawood ke jazeere (island) ki taraf jane ka faisla kiya….wo lady dawood se milna chahta tha….!

raat ke 10:45 baje the….imran us birth ke

khareeb pahuncha jahan uske mahekme ki launch langar andaaz thi….us par do aadmi kaam karte the….wo dono so chuke the….imran ne unhe

jagaaya….

fir

password sunte hi wo puri tarah hosh mein aa gaye….ho sakta hai ba-haisiyath imran wo use

jaante rahe ho….

lekin

is make-up mein na pehchaan sake….

baherhaal

unhe to password se sarokaar tha….jo bhi chahe iske zariye unse kaam le sakta tha….!

launch dawood ke jazeere (island) ki taraf rawaana ho gayi….wo dono engine room mein the….!

imran ne cabin ki ek almaari khol kar ek kaala

libaas

aur

canvous ke joote nikaale….libaas tabdil karne

mein 10 minute se zyada nahi laga….ek thaila nikaala jiss mein alag-alag khism ke auzaar….

aur

resham ki dor ke kayi lachche maujood the….!

45 minute baad launch jazeere (island) ke ek veeraan sahil se jaa lagi….imran ne unhe kuch

hidayatein (nirdesh) diye….

aur

zameen par utar aya….prince dawood ki imaarath ke asaar taaro bhare aasmaan ke peshe manzar

yahan se bhi dikhayi de rahe the….wo thaile ko

baayein (left) shaane par latka kar paidal hi

chal padha….10 minute baad wo imaarath ke piche pahunch gaya….jahan lady dawood rehti thi….!

jaise hi wo compound wall ke khareeb

pahuncha….rakhwali ke kutton ke bhonkne ki awaaz ayi….kam-az-kam do kutte rahe honge….alsatian hi maalum hote the….imaarath ke chaaron taraf unchi deewarein thi….!

imran ne uchal kar andaaza lagane ki koshish ke

un par sheeshe tukde to nahi hai….

baherhaal

itminaan ho jane ke baad wo deewar par chadha….

fir

usne hostler se dart gun nikaali….

kyun ke

ek kutta bhonkta hua isi taraf aya tha….uska

huliya nazar aate hi imran ne nishaana le kar dart gun ka trigger daba diya….kutte ke halakh

se kisi khadar halki si awaaz nikli….

aur

wo khamosh ho gaya….dusra kutta shayad abhi dur

tha….usne trigger par fir dabau daala….zara hi

der mein fir pahle ka sa sannata taari ho gaya dono kutte behosh ho chuke the….!

imran compound mein utar gaya….

aur

be-awaaz chalta hua ahista-ahista imaarath ki

taraf badhta raha….

shayad

chaukidar bhi so gaya tha….rakhwali ke kutte hi kaafi samjhe gaye the….!

ek khidki ka sheesha cut kar wo us andhere kamre

mein pahuncha jahan se imaarath ka jayeza lene

ki shuruat hui….thaile se mehdood (simith)

roshni wali pencil torch nikal ayi….us kamre ki

halath se andaaza hua tha ke wo istemaal mein

nahi rehta….dusra kamra kisi ka bedroom hi ho

sakta tha….

lekin

usme bhi andhera tha….

aur

bistar khaali….roshni ki lakeer ahista-ahista

andhere mein reng rahi thi….

achanak

wo bistar ke sirhaane wali choti mez par ruk

gayi….lifaafa….wahi lifaafa….usne use pahli hi

nazar mein pehchan liya….jiss ke sire par redcross bana hua tha….usne use uthaya….andar

parcha maujood tha….

aur

uspar pencil se jaldi mein likha hua paighaam

wahi tha….jo usne seiko mansion ke operator number 4 ke hawaale kiya tha….usne lambi saans li….!

roshni ki lakeer ab tezi se kamre mein gardish

kar rahi thi….alag-alag kamron se guzarta hua wo

ek aisi bedroom mein daakhil hua….jahan gahre

neele rang ki thandi roshni faili hui thi….yeh lady dawood ka bedroom tha….

aur

wo bistar par bekhabar so rahi thi….!

imran ne darwaaza bandh kar ke parda khinch

diya….

fir

usne zyada roshni wale bulb ka switch on kar

diya….

shayad

wo tez roshni ka ehsaas tha jiss ne lady dawood

ko jaga diya….wo baukhla kar uth baithi….

aur

khauffzada mein apne girdh chadar lapetne lagi….!

imran ne apne honthon par ungli rakh kar use

khamosh rahne ka ishara kiya

aur

ahista se bola….kahin cheekhna na shuru kar dena main sir sultan ka aadmi hu….!

lekin….is tarah….wo ghussele lahje mein boli

majboori….wo jo aaj aap se puch-gaach karne aya tha….ek hospital mein zakhmi padha hai….! main nahi samjhi….!

kisi ne use sir sultan tak nahi pahunchne diya….!

lekin….main use kya batati….kuch bhi to nahi jaanti….!

yahan aur kaun hai….?

yahan….prince ka ek dost….dusre kamre mein so raha hai….!

so raha tha….ab to wahan koi bhi nahi hai….kya main uska naam puch sakta hu your lady….!

haa….haa….shahed….wo prince ka business partner bhi hai….!

aur….shayad khatil bhi….!

kya matlab….? lady dawood uchal padhi

shayad….aap ko maalum nahi ke prince ka yaarana

khatilon….

aur

saazishon se tha….!

sawaal hi nahi paida hota….!

bahut jald sab kuch roshni mein aa jayega….kya wo shaksh mustakhil (permanent) taur par yahan rehta hai….?

nahi….maatam (shok) pursi ke liye aya tha….maine rok liya….!

huliya kya hai….shahed sahab ka….?

shaitaano jaisa….daadhi aur sar ke baal

badnumaayi ki hadh tak badhe hue hai….

shayad

logon ke liye yeh haseen ho….mujhe to ek aankh nahi bhaata….!

lamba chauda aadmi hai….?

haa….haa….chiraag alladin ka jin lagta hai….lady

dawood boli….

lekin

mujhe hairath hai….wo ittela diye baghair kyun chala gaya….!

shahed ke saath partnership wale business kitne hai….?

mujhe tafseel maalum nahi….tum zara muh fer kar khade ho jao….main sleeping gown pahenungi….!

bahut behtar your lady….imran ne kaha….

aur

dusri taraf mudha hi tha ke charaagh alladin

wale jin par nazar padhi jo bayi (left) taraf wale darwaaze ki taraf pistol liye khada

tha….imran ne dono haath upar uthaye….

aur

shahed ne lady dawood se kaha….shor machane ki zaroorat nahi….tum bathroom mein chali jao….!

l….ll….le….lekin….yeh sab hai kya….?

karobaari jhagde hai bhabhi….shahed ne

kaha….prince ke khatl mein inhi logon ka haath

hai….haa maine us aadmi ko pitwaya tha jo tum se puch-ghaach karne aya tha….in logon ne sir sultan ke bheje hue aadmi ko yahan tak pahunchne hi nahi diya….!

imran hans padha….bahut bhayanak hansi thi

khamosh raho….shahed ghurraya

behtar hai….your lady aap bathroom mein jaa kar darwaaza bandh kar le….imran ne kaha….mister shahed ghaliban chaand maari farmayenge aap bhi kahi zakhmi na ho jaye….!

lady dawood sach-mooch bathroom mein chali

gayi….

aur

darwaaza bandh kar liya….!

to mister shahed….imran revolver ke trigger par nazar rakhta hua bola….tum apne apne dono aadmiyon uthane ka intezaam kar liya ya nahi….?

oooh….to tum us paighaam ka picha karte hue yahan tak pahunche ho….!

zaahir hai maine wo paighaami isliye hi bhijwaya

tha….

varna

berahem daaku to hu nahi ke is khism ke khat-okhitabaat shauqiya karta firu….!

tum ho kaun….?

usi force ka ek aadmi jise benaqaab kar dene ke chakkar mein padhe ho tum log….!

oooh….tab to meri khush kismati hai….shahed ne tanziya (vyang) si hansi ke saath kaha….fir usne imran ki raan par fire kiya….!

imran ne pahle hi andaaza kar liya tha ke fire be-awaaz hoga isi liye usne trigger wali ungli

par nazar rakhi thi….

baherhaal

gira tha bayein (left) pahlu ke bal

aur

dono haathon se bayi (left) raan dabaye use dekhe jaa raha tha….aankhon se takleef ke asaar

bhi zaahir ho raha tha….

achanak

lady dawood cheekhti hui bathroom se nikal ayi….yeh tum ne kya kiya yeh sir sultan ka aadmi tha….!

yahan se chali jao….shahed khunkhaar andaaz mein ghurraya

nahi….nahi….!

jao….wo uski taraf is tarah jhapta jaise wazni pistol ka dasta uske sar par raseed kar dega….!

thik usi waqt imran ne us par chalaang lagayi

aur

pistol uske haathon se nikal kar dur jaa giri….!

shahed kisi zakhmi saanp ki tarah palta….imran

ne furthi se use kamar par laadha….

aur

dusri tarah uchaal diya….deewar se sar takraane ki awaaz kamre ki fiza mein gunj kar rahe gayi….

lekin

umeed ke khilaaf wo jaldi sambhal gaya….

aur

pistol par khabza lene kar lene ke liye chalaang laga di….!

lady dawood hairath se muh khole darwaaze ke khareeb khadi rahi….!

wo dono ke darmiyaan pistol par khabza kar lene

ki kashmakash jaa hi thi ke lady dawood ko hosh

aya wo cheekh uthi

aur

pistol utha kar kamre se bahar bhaag gayi….!

yeh kya kar rahi hai kutiyan….shahed dahaada….

lekin

wo to kabhi ki jaa chuki thi….!

imran ne use buri tarah jhakad rakha tha….

lekin

wo bhi kamzor nahi maalum ho raha tha…. achanak

usne imran ko dusri taraf uchaal diya….

aur

khud darwaaze ki taraf chalaang lagaya hi tha ke imran uspar dobara aa padha….is baar uske sar ke

bade-bade baal uski giraft mein aa gaye the….

lekin

shahed palat kar imran ke seene par do haath

maara….giraft aisi thi ke imran uske is tarah palat padhne ka tasawoor bhi nahi kar sakta

tha….isliye khud na sambhaal saka….

fir

wo farsh par chaaron khaane cheet gira….

aur

shahed khule hue darwaaze se nikal bhaaga….

lekin

yeh kya shahed ke baal uski giraft hi mein rahe

gaye….imran baukhla kar uth baitha….yeh sirf

baal hi nahi

balke

daadhi sameth pura chehra plastic ka namaakhul….usne ghadbadha kar apni naak tatoli….!

lahol wila quwwath….imran badhbadhaya….is jhadap ke dauraan mein uska readymade make-up bhi utar

gaya tha….

lekin

wo kamre hi mein gira tha….usne jaldi se utha kar dobara apni naak par fit kar liya….!

itne mein bahut se khadmon ki awaazein ayi….

aur

lady dawood teen hathyaaron sameth naukaron ke

saath kamre mein daakhil hui….kahan gaya wo zaleel….wo chaaron taraf dekhti hui boli

wo raha….imran ne farsh par padhe hue plastic ke

chahre ki taraf ishaara kiya

lady dawood ne jhapat kar use utha liya

aur

hairath se use dekhti rahi….

fir

baukhlayi….t….to yeh khaal….!

jee haa….yeh khaal usne chahre par chadhaya hua tha….yeh chehra wo meri giraft mein chhod kar nikal bhaaga….!

kaun tha….?
 
kaash mujhe uski shakl dekh lene ka mauqa mil saka hota my lady….!

jao talaash karo….lady dawood ne mulaazimon ki

taraf mudh kar kaha

bekaar hai….my lady….!

kutte bhi nahi bhonk rahe….wo chaunk kar boli….us mardood ne kahin unhe khatm na kar diya ho….!

pistol to aap ke paas hai….

agar

koi dusri uske paas hoti to is tarah na bhaagta….!

thik kahte ho….!

kya main aap ka phone istemaal kar sakta hu….?

k….kk….kyun….?

aise logon ko talab karunga jo yahan uski ungliyon ke nashaanath talaash kar sake….!

tum phone istemaal kar sakte ho….!

aur haa….zara mujhe us kamre mein bhi le chalna jahan wo rukha tha….!

wahan bhi phone hai….wahin chalo….!

sadia aur tamoti ke darmiyaan jhagda ho

gaya….imran ne use bhi seiko mansion hi mein

bulwa liya tha

aur

dono ko ek hi kamre mein rakha tha….dono ek

dusre par cheekh rahi thi….

fir

darwaaza khula….

aur

imran andar daakhil hua….!

hum ek saath nahi rahe sakti….sadia ghurrayi

ab yeh mere baap ka ghar to hai nahi ke tumhare liye alag se intezaam karu….!

to fir ise le jao yahan se….usne tamoti ki taraf

haath utha kar kaha

wo to sab thik hai

lekin

jhagda kiss baat par hua hai….?

zaati maamla hai….!

ho sakta hai….ke is zaati maamle ka taalookh

kisi hadh tak mujhse bhi ho….wo kuch aur bhi

kehna chahta tha ke julia kamre mein daakhil hui….imran ne use is tarah dekha jaise uski maujoodgi ghair zaroori rahi ho….!

in dono mein se kaun thi….julia ne sawaal kiya

wo jo sab se khoobsurat dikhti hai….imran ne

jhempe hue lahje mein jawaab diya

tum waqt barbaad kar rahe ho….!

tum kyun shaamil ho rahi ho is barbaadi mein chalti firti nazar aao….!

badi achi-achi paal rakhi hai tum logon

ne….sadia hans kar boli

suna tum ne….kya kahe rahi hai….!

jao….imran ne darwaaze ki taraf haath utha kar kaha….tumhari maujoodgi zaroori nahi hai….!

tum hosh mein ho ya nahi….!

acha….acha….biwi maalum hoti hai….sadia sar hila kar boli

usse bhi badhtar….imran ne thandi saans li

julia ne qaher bhari nazron se sadia ko dekha

fir

imran ko ghoorti hui bahar chali gayi….!

khaasi dilkash hai….sadia ne tamoti ki taraf

dekh kar kaha

lekin

wo bura sa muh banaye hue dusri taraf dekhne lagi….!

haa….to len-den ki baat thi….tum ne miss tamoti se kharz liya tha kahin juaa khelte waqt….imran

ne sadia se kaha

aur

fir usne mehsoos kiya ke undono ke chahre par hawaaiya udhne lagi….tum ne yeh mujhse kyun chupayi thi sadia….?

khattai ghair mataalookh baat thi….!

hargiz nahi….ab main kahe raha hu ke yeh maamla

isi case se mataalookh hai….mujhe batao wo steamer kahan langar andaaz hota hai jiss par juaa hota hai….!

sadia kuch na boli….

imran ne tamoti ki taraf dekha wo jaldi se boli….main bataungi….yeh sadia steamer ke liye tickets bechti hai….!

tickets bechti hai….imran ne hairath se kaha

haa….aur yeh tickets sirf jane-pehchane aadmiyon diye jate hai….!

dilchasp….imran sadia ki taraf dekh kar

muskuraya….wo ab bhi sar jhukaye baithi thi….imran se nazar nahi mila rahi thi….!

sirf yehi nahi….kayi dusri aurtein bhi tickets

becha karti hai….apni jaan pehchaan walon

mein….lamba juaa hota hai….yahan se makhsoos (special) launch juaariyon ko steamer tak

pahunchati hai….

aur

wo steamer humesha ek hi jagah langar andaaz nahi hota….shanivar aur budhvar ki raat ko khel hota hai….!

oh….aaj to budhvar ki raat hai….aaj kahan langar andaaz hoga….?

ab jab ki main yahan hu mujhe kiss tarah maalum ho sakega ke wo kahan langar andaaz hoga….sadia

murda si awaaz mein boli….

lekin

yeh zaroor bata sakungi ke steamer ka naam s.s rajpoot hai….

aur

wo in dino raaton ko kisi dusre mulk se aata

hai….teen badi launch juaariyon ko us tak

pahunchati hai….launch ke naam….shaheen, dawood aur monika hai….prince dawood is karobaar mein s.s rajpoot wale ka hissedar tha….!

bas to fir aaj juaa nahi hoga….imran kuch sonchta hua bola….tumhare ghayab ho jane ke baad

wo savdhaan ho jayenge….

fir

imran unhe wahin chhod kar bahar aa gaya

aur

black-zero ko phone hidayath (nirdesh) diya ke shaheen, dawood aur monika naami launch ke baare

mein chaan-been kare….

aur

safdar ka kya haal hai….? usne pucha

ab behtar hai….black-zero ki awaaz ayi….usne

lady dawood ke yahan se wapsi ke waqt jazeere

(island) hi ke ek café mein coffee pi thi….uske

baad ka use hosh nahi….

fir

na-maalum aadmiyon mein hi uski aankh khuli….

aur

uspar isliye torcher kiya gaya tha ke usne apna pata batane se inkaar kar diya tha….!

khair dekhenge….imran ne kaha

aur

call ka silsila cut kar diya….wo dobara sadia ke

paas aya

aur

teen aurton ke naam aur pate note kiye jo tickets becha karti hai….!

ek ghante baad black-zero ne ittela di ke teenon launch sahil par kahin bhi langar andaaz nahi hai….!

nazar rakhna….imran bola….ho sakta hai ke wo makhsoos (special) waqt hi sahil se lagti ho….

fir

usne use un teenon aurton ke naam aur pate

likhwa kar unke mataalookh bhi hidayathein (nirdesh) diye….un aurton ke taalookh

hidayathein to di thi….

lekin

use yaqeen tha ke ab unka suraagh milna bhi mushkil hi hoga….ho sakta hai un launchs ke rang aur naam bhi badal diye gaye ho….!

yeh andaaza bhi ghalath nahi nikla….kam-az-kam

teen aurton ke baare mein to use jaldi maalum ho

gaya ke wo apne thikaano par nahi mili….unhone wo makaan hi khaali kar diye the….padosiyon se unke baare mein kuch bhi na maalum ho saka….!

ab sirf lady dawood hi saamne thi….imran ek baar

fir usse milna chahta tha….shahed se taalookh aur puch-gaach ke liye….us raat bahuttar

baatein rahe gayi thi….

aur

yeh bhi dekhna chahta tha ke ab bhi lady dawood se milne jhulne walon par nazar rakhi jaa rahi hai ya nahi….!

is baar imran ne seedhe-seedhe khul kar saamne aane ka khatra mol liya….imran hi ki haisiyath

se wo dawood ke jazeere (island) ki raah li…. albatta

wo tanha nahi tha uske chaaron matahath uske aas-paas the….!

lady dawood tak pahunchne mein koi dushwari pesh

nahi ayi….waise wo use pehchan na saki….

kyun ke

wo us raat readymade make-up mein tha….!

tum puch-gaach karne aye ho….? lady dawood ne hairath se kaha

jee haa….imran ne jawaab diya

aur

chahre par himaakhat dugni ho gayi thi….!

kya puchoge….?

yahi ke aap kaun sa manjan (toothpowder) istemaal karti hai….aap ke daant motiyon ko sharmate hai….!

kya matlab….? wo use ghoorne lagi

aap ke jawaab par tafteesh ki gaadi aage badhane ka irada hai….!

khufiya police se taalookh hai tumhara….?

jee haa….isiliye itna khufiya sawaal kiya hai….!

kya tum jaise bewaqoof rakhe jate hai khufiya police mein….?

jee….wahan to hijde bhi rakhe jate hai….isiliye kahe laati hai khufiya police….!

mere paas waqt nahi hai….!

lekin….main sirf bewaqoof hu….wo nahi jo aap samajh rahi hai….!

dhakke dilwa kar nikaal dungi….!

mohatarma aap meri shakl kyun dekh rahi hai….mere sawaal ka jawaab di jiye….!

manjan ka is maamle se kya taalookh ho sakta hai….?
 
khufiya police taalookh paida kar leti hai….!

kya main sir sultan ko phone karu ke ek paagal aadmi mera waqt barbaad kar raha hai….!

unhone mujhe paagal hi samajh kar bheja hai….sahi dimaagh aadmiyon huliya bhi shinaakht ke khaabil nahi rahe jata yahan aa kar….!

ooh….us bechare ka kya haal hai….?

15 din tak bistar se nahi uth sakega….!

mujhe afsos hai….!

prince ki zindagi mein bhi shahed kabhi-kabhi yahan ruka karta tha….!

kyun nahi….jab bhi jazeere (island) par aata humare hi saath rehta….!

usi kamre mein….?

haa….wo kamre usi ke liye rakh diya tha….!

is dauraan aap ne koi naya mulaazim to nahi rakha….?

nahi….lekin shahed tumne mulaazim par kyun chalaang lagayi….?

bas yunhi….hum aise hi be-raabta sawaal karte hai….main wo kamra dekhna chahunga….!

chalo….!

wo imran ko us kamre mein le ayi jahan shahed ruka karta tha….!

agar….main kamre ko ulat-palat kar dekhu to aap

ko koi aitraaz to na hoga….? imran ne pucha akhar kiss cheez ki talaash hai….?

kisi tahe khane ke raaste ki….!

sawaal hi nahi paida hota….humari imaarath mein

tahe khane nahi hai….sab jadeed tareen

(atyadhunik) imaarath hai….wo zamaana to nahi

raha jab log dhoop aur lu se bachne ke liye tahe khane mein panaah liya karte the….ab to airconditioned ka daur hai….!

iske bawajood bhi main talaash karunga….!

apna aur mera waqt barbaad karoge….!

zara hi der mein imran ne tahe khana dhund

nikaala

aur

lady dawood ki aankhein hairath se fael gayi….tahe khane ka raasta masheri (bed) ke niche maujood tha….!

khuda gawaah hai….main nahi jaanti thi….lady

dawood khauffzada si awaaz mein boli….khuda jane niche kya ho….prince marhoom shahed jaise daghabaazon ke business partner the….!

zaroori nahi ke ek biwi apne shohar (pati) se

puri tarah waqif ho….imran ne sard lahje mein kaha

ab main kya karu….lady dawood ki halath ghair

hoti jaa rahi thi

khud ko sambhaliye….

aur

mere saath niche chaliye….!

n….n….nn….na….nahi….pata nahi wahan kya ho….!

aap tanha to nahi hai….main saath hu….!

do-ek mulaazimo ko bhi saath le le….?

goya aap aise gawaah banana chahti hai jo pal bhar mein saare zamaane mein baat faila de….!

tum thik kahe rahe ho….meri aql thikaane nahi rahi….!

hausla ki jiye mohatarma….!

acha….acha….chalo….

lekin

thahero wo main torch laati hu….!

torch hai mere paas….!

18 seedhiyan tai kar ke wo niche pahunche….yeh ek bahut hall tha….jahan chaaron taraf bahut bade sandookh rakhe hue the….!

oh acha….main samajh gayi….in sandookhon mein videshi sharaabein hongi….prince sharaab bhi to import karte the….!

halaanki sharaab ka business nahi tha….!

wo kuch na boli….!

imran ne aage badh kar ek sandookh ka dakkan

uthaya….khuda ki panaah….uski zubaan se

beshakhta nikla

kya hai….? wo uchal padhi khareeb aa kar dekhiye….!

sandookh mein rifile bhari hui thi….lady dawood

buri tarah khaansne lagi

imran lambi saans le kar bola….hathiyaaron ka business bhi nahi tha….!

usi taraf dusre sandookh mein tommy-gun,

revolver, sub machine-gun….

aur

unke ammunition maujood the….dasti bomb (handgrenade) bhaari tadaad mein mile….!

shayad kisi masla baghawath jawaab dekha raha tha….imran bola

main tasawoor nahi kar sakti….khuda vand yeh sab kya hai….!

tumhara shohar (pati) kisi videshi mulk ka agent tha lady dawood….!

khuda gharath kare shahed ko….dawood aisa nahi tha….use bahekaya gaya tha…..!

kuch bhi ho….aap apni zubaan khattai bandh

rakhengi….ek mohabbat watan ki tarah….hum se

pura sahyog karengi….jab tak asal mujrim haath na aa jaye….hume bhi khamoshi ikhtiyaar karni padhegi….!

main apne watan ke liye jaan de sakti hu….tum

itminaan rakho….lady dawood ne sakhti se kaha wo apni halath par khaabu paa chuki thi

ahaan….thaheriye….wo dekhiye….udhar bhi ek

darwaaza maujood hai….imran ne bayi (left) taraf ishaara kiya

ab dekho….udhar kya nikalta hai….lady dawood

darwaaze ki taraf badhti hui boli

thaheriye….imran ne kaha…. fir

khud usi ne aage badh kar darwaaze ko dhakka

diya….dono patt khulte chale gaye….

lekin

yeh koi khushgawaar manzar nahi tha….saamne teen

aadmi tommy-gun liye khade dikhayi diye….

fir

unme se ek aadmi aage badha

aur

lady dawood ke piche aa khada….chalo….wo ghurraya

baherhaal….unhe taamil karni padhi….zara si be-

ehtiyathi bhi unhe maut se hum aaghosh kar sakti thi….!

yeh ek lamba surang numa raasta tha

aakhir hum kahan jaa rahe hai….imran thodi der baad bola

jahannum mein….jawaab mila….khamoshi se chalte

raho

varna

chalni kar ke rakh denge….!

yeh surang numa raasta khareeb ek for long

zaroor raha hoga

fir

unhe aasmaan dikhayi diya….

lekin

ab wo ek pathrili daraar ke darmiyaan chal rahe the….dono darmiyaan 15-16 feet unchi chattane thi….!

imran ke chaaron matahath imaarath ke bahar hi

khade the…. lehaza

unke farishton bhi na maalum ho saka ke imran par kya guzri….!

wo chalte rahe….hatta ke unhe laheron ke shor ke saath abhi pareendon ki bhi awaazein sunai dene

lagi thi….

fir….achanak….

wo samandar ke sahil par bilkul khule mein aa nikle….saamne hi ek badi launch langar andaaz thi….uske alawa dur-dur tak koi launch nahi dekhayi de rahi thi….!

chalo….launch par….ek aadmi ghurraya….imran ki kamar se tommy-gun ki naal lagi hui thi….wo dono haath uthaye hue launch par pahuncha….!

lady dawood ke aankhon mein jhunjhulahath ke asaar the….!

launch par stroker ke alawa….do aur aadmi bhi pahle hi maujood the….unhe saath laane wale

aadmiyon mein ek launch hi par ruk gaya….

aur

dusre wapas chale gaye….unhe ek chote se cabin mein bandh kar diya gaya….saath aagha bhi kiya gaya ke hathiyaar liye ek aadmi cabin ke

darwaaze par maujood rahega….

agar

unhone koi gadhbadhi karne ki koshish ki to anjaam bura hoga….!

khuda gharath kare in logon ko pata nahi kya

jaal bichaya hai….lady dawood daant pees kar

boli

imran khamosh tha….!

wo fir boli….maine pahle hi kaha tha ke tanha na utarna chahiye tahe khane mein….!

baar-baar kahti rahe….imran sar hila kar bola kya matlab….?

arey ab isse kya farq padhta hai ke aap ne kya

kaha tha….

aur

maine us par amal nahi kiya….!

akhar yeh hum ko kahan le jaa rahe hai….?

imran kuch na bola

safar ek ghante tak jaari raha…. fir

launch kahin langar andaaz hui….

aur

15 minute guzar gaye

lekin

kisi ne bhi unki khabar na li….!

kya tumhare paas hathiyaar nahi hai….? lady

dawood ne pucha

nahi mohtarma….!

badi ajeeb baat hai….aisi muhimaat (abhiyaan) se

do chaar hote ho

aur

bina hathiyaar ke rahte ho….!

imran ne koi jawaab na diya….!

aur tum fikrmand bhi nahi maalum hote….!

fikrmand jaisi beemariyan mujhse humesha dur rahti hai….!

aise halaath mein bhi….?

aise hi halaath ne mujhe befikr bana diya hai mohtarma….kuch na kuch to ho kar hi rahega….fir….fikrmandi kaisi….!

ya tum bilkul bewaqoof ho ya bahut zyada chalaak…..!

ya hum zinda rahenge ya maar dale jayenge….isliye dekha jayega….!

kya dekha jayega….?

bas ab kuch na kahe….!

mashwara de rahe ho ya faisla de rahe ho….?

imran kuch kahne hi wala tha ke cabin ka

darwaaza khula

aur

do aadmi andar daakhil hue….ek ke haath mein

tommy-gun thi

aur

dusre ke haath mein sooth ki moti dor ka

lachcha….tommy-gun ke zard par unke haath

baandhe gaye

aur

cabin se nikalne ko kaha gaya….!

wo deck par aye….launch kisi veeraan sahil par

langar andaaz thi….undono ko zameen par utaara gaya….launch ke deck par khade hue aadmi ne unhe tommy-gun se cover kiye hue tha….!

dusre ne sirf lady dawood ke haath khol diye….

aur

fir….launch par wapas chala gaya….launch ka

engine jagaa

aur

wo tezi se dur hoti chali gaya….!

y….ye….yeh to koi veeraan jazeera (island)

maalum hota hai….lady dawood kampkampaati hui awaaz mein boli

bade kameene maalum hote hai….aap ke haath khol

diye

aur

mujhe yun hi chhod gaye….!

main khole deti hu

lekin

ab kya hoga….!

usne imran ke haath khol diye

aur

wo zameen par ukhdu baithta hua bola….meri to maatti-paleed ho gayi….!

kya kehna chahte ho….?

shayad….hum is veeraan zameen ke adam-va-hawwa (adam and eve) kahe layenge….!

kya bakwaas….!

yahan humare alawa aur koi nahi maalum hota my lady….!
 
akhar is harkath kya matlab ho sakta hai….!

khuda jane….!

utho….is tarah kyun baithe hue ho….!

uth kar bhi kya karunga….imran karaahta hua utha

tahe khane mein daakhil hone se pahle tum ne kaha tha….ke meri hifazath karoge….!

bewaqoof log hifazath ke alawa aur kar hi kya sakte hai….!

achanak….ajeeb khism ka shor sunayi diya….

aur

wo chaunk kar awaaz ki taraf dekhne lage….!

yeh kya hai….?

kisi purane model ki gaadi maalum hoti hai…. fir

unhe wo gaadi dikhayi de gayi….jise ek jaani-

pehchani shakl wala aadmi drive kar raha tha….!

s….s….sh….shahed….lady dawood haklayi

maalum hota hai….usne shahed ke kayi khaal banwa rakhe hai….!

pichli seat par do aadmi thi….jinhone pistol,

machine gun sambhaal rakhi thi….shahed ne engine

bandh kiya

aur

chalaang maar kar gaadi se utar aya….aahaa….to aap hai….imran par nazar padhte hi chahek utha….!

imran jahan tha wahin ruk gaya….!

wo dono aadmi bhi hathiyaar liye gaadi se utar aye….!

tum kaun ho….?

aur

yeh sab kuch kya karte fir rahe ho….? lady dawood ne shahed ko mukhatib kar ke kaha

main aap ka wahi purana khaadim hu lady dawood….!

main tumhari asliyath jaanna chahti hu….!

mera baap isi fikr mein duniya se chal basa….aap in fizooliyath mein padh kar waqt na barbaad ki

jiye….

lekin

kya main puch sakta hu ke aap yahan tak kaise pahunchi….?

kya tum nahi jaante….? lady dawood ne ghussele

lahje mein pucha

nahi….main nahi jaanta….!

hum us tahe khane se guzar kar yahan tak pahunche hai….jahan tum logon ne hathiyaar waghaira rakha hai….!

main aisi kisi tahe khane ke baare mein kuch nahi jaanta….!

yeh thik kahe raha hai….imran sar hila kar bola….paida ho kar seedhe yahin chale aye hai….!

shut-up….shahed dahaada

fir aur kya kahu pyare bhai….!

ab main yaqeen ke saath kahe sakti hu ke dawood ke khatil tum hi ho….tum ne pahle use warghala

kar apna kaam nikala

fir

raaste se hi hata diya….!

tum bahut hoshiyaar ho lady dawood….!

lekin….tum is wahem mein na rehna ke khud bache rahoge….!

shayad isiliye imran ko saath liye fir rahi ho….!

imran….kaun imran….? lady dawood chaunk padhi

banne ki zaroorat nahi….shahed ne sakht lahje

mein kaha….yeh tum dono ki zindagi ka aakhri din

hai….wo gaadi ki taraf badh gaya

aur

agli seat par se chamde ka hunter uthaya

aur

imran ki taraf dekh kar bola….tumhara bhi wahi

hashr hoga

varna

bata do ke x-2 kaun hai….?

is endhan ko kahte hai jisse bachche rocket udhate hai….!

achi baat hai….yeh lo….shahed ne hunter ki zarb

lagane ki koshish ki

lekin

imran saaf bach gaya….!

thahero….meri baat ka jawaab do….lady dawood

haath utha kar boli….akhar tumne mere makaan ko hathiyaaron ka godhaam kyun bana rakha hai….?

main kyun banane laga….makaan tumhara hai….tum jano….dawood kisi khabristan ka mujawar to nahi tha….smuggler tha….smuggler….!

lady dawood daant pees kar rahe gayi….!

shahed ne apne ek saathi se kaha….tum imran ki talaashi lene ke baad uske haath peet se baandh do….!

shahed ke saathi ne machine-gun ek taraf kar

rakh diya

aur

imran ki talaashi lene ke liye uski taraf badh hi raha tha ke

achanak

imran bahut zor se cheekha….

fir

us pal bhar mein hi haath utha kar machine-gun ke liye chalaang lagadi….!

dusre aadmi ki machine-gun se goliyan nikli

lekin

imran to kabhi ka us jagaah ko chhod chuka jahan

goliyon ne reth udhayi thi….dusre humle ki

naubath na aa saki

kyun ki

imran ne bhi trigger par zor daala….humla awaar

ne kalaa baazi khayi

aur

fir na uth saka….!

apni jagaah se hilne ki bhi koshish na karna tum

dono….imran ne shahed aur uske saathi ko cover karte hue kaha….tum mera bandarpan abhi dekh hi chuke ho….!

pistol zameen par daal do

varna

chalni ho jaoge….

achanak

piche se awaaz ayi….imran khada hi raha

lekin

lady dawood tezi se mudhi….teele par ek aadmi

tommy-gum liye khada nazar aya

pistol zameen par daal do

fir

awaaz ayi….is baar imran ne be-chu-wa-char hi

kiya jiss ke liye kaha gaya tha….!

shahed wahshiyana andaaz mein machine-gun ki

taraf jhapta….pistol utha kar uska dasta imran

ke shaane par raseed karte hue unchi awaaz mein kaha….rathore wo aadmi haath lag gaya hai….jiss

ki tumhe talaash thi….yeh imran hai yahi

batayega ke x-2 kaun hai

aur

kahan hai….!

wo teele se utar kar khareeb aa gaya

aur

lady dawood ko lalchayi nazron se dekhe jaa raha

tha….to yeh hai imran usne uski taraf dekhe baghair kaha

nahi….wo lady dawood hai….imran to main hu janab….imran ne kaha

inhe steamer par le chalo….rathore ne shahed se kaha

imran ko le jao….lady dawood mere saath jayengi….shahed bola

nahi….pahle steamer par jayenge….rathore bola

yeh namumkeen hai….shahed ka lehja acha nahi tha

yahi munaseeb hai….rathore laparwaahi se bola

lady dawood ka in maamlaat se koi taalookh nahi….!

na ho….rathore ne laparwaahi se kaha….

lekin

ab yeh ek khatarnaak gawaah sabeet ho sakti hai….!

aur kya….yeh to khaide ki baat hai….imran sar hila kar bola

tum khamosh raho….shahed dahaada

ghusse mein na aao shahed….rathore narm lahje mein bola

acha….tum ise shahed samajhte ho….imran ne hairath se kaha

chup raho….shahed halakh faadh kar cheekha

aur

fir….aage badh kar imran ke pait mein thokar maari….!

imran dono haathon se pait dabaye baithta chala gaya….!

tum sach-mooch kutte ho….lady dawood ghurrayi

khabardar….wahin thahero….jahan khadi ho….shahed

ne mission-gun ka rookh uski taraf karte hue

kaha….kuch aur bhi kehta

lekin

imran ne dono mutthiyon se reth uchaal di….ek

mutthi rathore ke aankhon mein

aur

dusri shahed ki aankhon mein….

fir

rathore ki tommy-gun par khabza karne mein der

na lagi….saath hi goliyon ki bauchaar teesre aadmiyon par hui jissne imran par fire karna chaha….!

ab mission-gun fenk do shahed….imran

ghurraya….tumhara yeh aadmi bhi khatm ho gaya….thik….lady dawood aap dono pistol utha li jiye….!

lady dawood ne khaasi foorthi dikhayi….undono ki aankhein bheenchi hui thi….

aur

undono ne apne haath uthaye rakhe the….!
 
ab kya khayal hai mr.shahed….? imran bola….yeh khel kab tak jaari rahega….?

tum yahan se bach kar nahi jaa sakte….shahed dahaada

wo to main baad mein dekhunga….wo aurat humare khabze mein hai….jise tumne begum x-2 banaya tha….sadia bahut ugal chuki hai….haathiyaaron

ka jakheera bhi….

lekin

thahero….tumhe to main pehchanta hu….yeh rathore kaun hai….?

shahed kuch na bola

rathore bhi khamosh tha….dono ki aankhon se paani bahe raha tha….!

lady dawood….kya aap shahed ka chehra dekhne ki

koshish nahi karengi….

waise

main is khaal ke bawajood bhi ise pehchaan chuka hu….!

zaroor dekhungi….ache dost….wo aage badhti hui

boli

aur

imran ne kaha….shahed jhuk jao….!

shahed jhuka….

lekin

hukm ki taamil mein nahi….kisi bhainse ki tarah jhapat kar imran ke seene par takkar maarni

chahi….

lekin

usi hi lamhe mein imran ki thokar uski thuddi

par padhi….

aur

wo be-mail si awaaz ke saath ulath gaya….!

bas ab isi tarah padhe rehna….

varna

tommy-gun ki bauchaar tumhe chaat jayegi….lady dawood jaldi ki jiye….!

lady dawood uske baal pakad kar zor lagane lagi….udhar shahed ne mazbooti se apni gardan pakad rakhi thi….!

chodiye….kya faida….shakl nahi dikhana chahta to na sahi….main bataye deta hu….yeh nadar chandhwala hai….!

nahi….lady dawood aur rathore ki zubaanon se ek

saath nikla

wahi hai….chahre par khaal chadha sakta hai….

lekin

ungliyon ke nashaanath ka intezaam iske bas mein nahi hai….!

main tujhe maar daalunga….shahed lady dawood ko

ek taraf jhatak kar uth khada hua

fir

wo kisi paagal hi aadmi ki tarah imran par toot padha….!

hatt jao….begum dawood cheekhi

varna

maarti hu goli….!

lekin yeh dhamki bhi kaar guzaar na hui….shahed ko ghaliban tommy-gun bhi yaad nahi rahi….!

imran ne lady dawood se kaha….yeh tommy-gun bhi apne hi khabze mein rakhiye….nadar yun nahi maanega….!

lady dawood rathore ko caver kiye hue khadi

rahi….saath hi kahti jaa rahi thi….tum yeh na

samajhna ke mujhe yeh hathiyaaron ka istemaal karna nahi aata….zindagi pyari hai to haath uthaye khade rehna….!

udhar nadar deewanon ki tarah jhapat-jhapat kar

humle kar raha tha….isi dauran chamde ka wo

hunter bhi imran ke haath mein aa gaya….jo khud uske liye istemaal kiya gaya tha….usne thokar

maar kar shahed ko dur uchaal diya….

aur

chaabook wala haath

ghumaya….sht….sht….sht….sht….pe dar pe kayi

haath shahed par padh gaye….

aur

ab imran uchal koodh kar itna faasla barqaraar

rakhna chahta tha ke chaabook ko bakhoobi

istemaal kar sake….isi dauraan wo ek baar

rathore

aur

lady dawood ke darmiyaan aa gaya….rathore ne

mauqe se faida uthate hue nikal jana chaha

lekin

lady dawood usse zyada foorthili saabit

hui….usne badi tezi se apni position tabdil ki

aur

rathore par firing shuru kar di….!

rathore cheekhta hua wahin dher ho gaya….kayi goliyan uski peet mein utar gayi….!

udhar imran par jaise deewangi ka daura padh gaya tha….shahed ko chamde ke chaabook se peete

jaa raha tha….

fir

shahed bhi gir padha

aur

imran ne lady dawood se pucha….kya rathore khatm ho gaya….?

bilkul….kayi goliyan lagi hai….!

bura hua….wo ek videshi mulk ka smuggler tha….khair ab aaye….nadar chandhwala ke darshan bhi kar li jiye….!

imran ne jhuk kar shahed ke chahre se khaal utaar diya….uski aankhein khuli hui thi….palkein

bhi jhapka raha tha….

lekin

hilne ki sakat usme nahi rahe gayi thi….!

yeh mardood….bhaari rakhm par aadmiyon ko

smuggle kar deta tha….imran lambi saans le kar

bola….pata nahi kitne bhole-bhale log iski wajah se arab ke registan mein thokarein khate fir rahe hai….!

lady dawood kuch na boli

imran seedha khada ho kar chaaron taraf dekhne laga….!

yeh mere hi jazeere (island) ka shumaali (uttar)

veeran sahil hai….lady dawood thodi der baad

boli….us launch ke logon ne hume dhoke mein

rakhne ke liye pura ek ghanta sarf kar diya

tha….imran main tumhari mashkoor (abhaari)

hu….saari zindagi tumhe apna behathreen dost tasawoor karti rahungi….

aur

yeh haraamzada iske baare mein to main sonch bhi

nahi sakti thi….ise log farishta samajhte hai….

aur

yeh dohra kirdaar aada karta tha….!

nadar chandhwala ka lambe kaarobaar wala saabit

hua….yahi nahi balke wo ek videshi smuggler ke

agent ki haisiyath se bhi kaam kar raha

tha….drugs aur aadmiyon ka smuggler to tha hi

lekin

in dinon todh-fodh ki kaarwayion ke liye

hathiyaar ki supply bhi apne zimme li thi….rathore usi smuggler ka numainda tha….

aur

in dinon isliye yahan maujood tha ke apne aaqa ke hukm ke mutabeekh imran aur x-2 ko talaash kar ke thikaane laga de….!

nadar chandhwala ne hosh mein aane ke baad

aur

kayi aisi jagaahon ki nashaandehi ki jahan hathiyaaron ke jakheere maujood the….prince

dawood iska partner tha….

lekin

lady dawood isse anjaan thi….wo to samajhti thi

ke wo khanooni taur par nadar ka partner hai….

baherhaal

wo imran ki behadh shukr guzaar thi….!

sadia rani par jurm lagaya gaya

aur

use jail bhej diya gaya….

albatta

tamoti sarkaari gawaah ki haisiyath se hospital mein zere ilaaj thi….!

nadar khud shahed ki haisiyath se apne aadmiyon

ka haath bhi bata tha

aur

un par khadi nazar bhi rakhta tha….kuch dusri

shakl ke khaal bhi uske makaan se baramad

hue….unhe wo waqt par waqt istemaal karta tha….!

safdar ki haalat ab pahle se behtar thi

aur

wo hospital ward ke aaram deh kamre mein leta hua….badi mohabbat se imran ki taraf dekhe jaa raha tha….!

ooooh bhai….imran gadhgadha kar bola….nurse bahar gayi hai….yeh main hu tumhara khadim abdul mannan….!

aap se zyada mujhe koi pyara nahi hai….safdar thandi saans le kar bola

ahista….imran khauffzada lahje mein bola….kahin koi na-mahram (ajnabi) na sun le….!

aap na-khaabile taskhair (ajay) hai….!

ab to tumne laundiyon ki si baatein shuru kar di….!

safdar ne muskura kar aankhein bandh kar li….!

the end
 
Back
Top