AB TAK AAPNE PADHA KI KIS TARAH SHAILA AUR AKSHAANT APNE HI MAHAL ME KAID HO JAATE HAIN WAHIN VIKRAM APNE MOM DAD AUR RONIT KE SAATH WAPAS JAANE KE LIYE READY HO JAATA HAI....

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-95

PLANET- EARTH

PLACE-MINAKSHI MANSION

MOM DAD........YE KYA TARIKA HAI....AAP DONO EK SAATH DO DO BAATEIN BHUL GAYE....

meri baat sunkar mom aur dad jo ki abhi bhi aadhe neend me hi the,wo apni aadhi khuli aankhon se ek dusre ki taraf dekhne lage...ab jab ek dusre se koi jawab nahi mila toh....

DAD- kya tarika???aur kaun si do baat?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI- pehli baat ki ab mai koi chota baccha nahi raha aur dusri ye ki ab aap dono mere bachpan ke time jaise jawan nahi rahe...

aap dono ne puri raat yun aadhe baithe aadhe lete position me guzar di...aise me toh aapki body akad jaayegi....

MOM- aisa kuch nahi.......ahhhh......

MOM ke mooh se ek karaah nikal gayi..wajah...jaise hi wo uthne ko huin toh unki kamar jo raat bhar weird position me rehne ki wajah se akad gayi thi,usme pain hua....

maine mom ko sahara dekar uthaya aur jab dad ki taraf dekha toh mujhe hasi aa gayi par mai hasa nahi....

dad bhi apne kamar ko apne haathon se press kar rahe the par mujhe khudki taraf dekhta dekh unhone apne haath hata liye....

MAI- dad,dard hai toh hai..chupaane se kya faayda...aap dono aaram se yahin so jaayiye..mai chala gym....

dada aur mom kuch kehna chahte the par maine dono ko bolne nahi diya...maine mom ko apne bed par sula diya..dad toh already bed par hi the wo bhi mom ke side me thik se let gaye...

maine dono ko warning diya ki aaj wo dono sirf rest karenge....mom ke liye no kitchen aur dad ke liye no office....ye bol mai room se nikal gaya aur chal pada gym ki taraf....

chaliye jab tak mai gym me pahunchta hun,aap sabko bata deta hun ki kal mere aur RONIT ke hotel se jo ki ab hamara hi tha, nikalne ke baad kya kya hua???

A SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY TILL NOW....

mujhe aur RONIT ko saath saath baahar aate dekh mom dad khush ho gaye..jahan mom ne baari baari se mera aur RONIT ka maatha chuma wahin DAD ne hum dono ko hug kiya....

ek ghante ki drive ke baad hum airport me the....is dauran mom dad ne mujhse mere pichle 7 mahino ki activity ke baare me sab kuch pucha..

unhe ye toh pata chal gaya tha ki mai kahan job karta tha,wo ye jaanana chahte the ki mai rehta kahan tha...travel kaise karta tha wagairah wagairah...

maine unhe bas itna kaha ki mujhe ek quarter saste me mil gaya tha aur mai paidal ya auto se travel karta tha...

meri baat sunkar mom dad ek baar firse sad ho gaye par mujhse dobara milne aur apne saath wapas le jaane ki khushi ke saamne unki udasi zyada der tak tik nahi paayi....

mom dad ko toh maine jhuth bolkar tarka diya tha par RONIT ko ye pata tha ki mai jhooth bol raha hun....

wo jaanta tha ki naa mujhe rehne ke liye jagah chahiye aur naahi mujhe travelling karne ke liye kisi chiz ki zaroorat hai...

usse ye bhi andaza ho gaya tha ye jo job mai kar raha tha wo mera ek cover hi tha...

cover jisse mai sabke nazar me normal dikh sakta tha....par do sawaal aise the jo RONIT ke zehen me lagatar chal rahe the....

pehla toh yahi ki AVANTIKA ne usse thanks kyun kaha aur wajah puchne par ye shart kyun rakhi ki agar wo V.J ko saath laane me kaamiyab rahe tab wo uske kahe thanks ka reason batayegi...

aur dusra sawal....!!!!wo aap kuch der baad RONIT ki zubaani hi sun lijiyega.....

khair,airport pahunch apni plane me baith hum sab wapas MUMBAI aa gaye..ghar pahunchte pahunchte hume raat ke 1 baj gaye the par.....

jaise hi hum chaaron hall me ghuse,hamari teeno family hume wahan humare intazar me baithi mili....

NAANU,NAANI,meri gudiya AASHI,MAMA ,MAAMI,sabhi wahan moujud the....

mera dil itne dino baad dabko dekh kar bohot khush tha par dimag ko kaabu paane ki koshish me emotions par bhi kaabu paana hota hai,is wajah se mai normal hi raha...

mila mai sabse but normally....mujhe aise dekh sabko thoda dukh toh hua par mom dad ki hi tarah mere wapas aane ki khushi us dukh se kahin upar thi...

jab SAVITA AUNTY mere paas aayin toh mai thoda nervous hua tha..REASON....last time jo maine unke bete ke saath kiya tha aur uske baad jo harkat ki thi wo aaj bhi mere zehen me taaza thi...

ek toh waise hi mera dimag thoda out of control tha uspar aunty ka mere saamne aana,mujhe samajh me hi nahi aa raha tha ki mai kaise react karun par......

iski zaroorat hi nahi padi....mere paas aakar SAVITA AUNTY ne mera maatha chuma aur mujhe gale laga liya...mai unka pyar,mujhe gale lagate hi unke nikalne waale aansuon ko mehsoos kar sakta tha....

maine kuch kaha toh nahi par wo un do logon me se ek thi jinhe dekhkar mai muskuraya tha....aur mujhe muskurata dekh mere saare gharwaale bohot khush hue the....

jaisa ki maine bataya ki SAVITA AUNTY un do logon me se ek thi jinhe dekh mai muskuraya tha....

unke alawa NEHA AUNTY (ANJALI'S MOM) jab mere paas aayin toh maine saamne se unhe gale laga liya tha....unke dard sa dard aur kisiko naa tha...

kahin naa kahin unki haalat ka zimmedar mai bhi tha....itna tez dimag hokar bhi mai ASMODEUS se ek baazi haar gaya tha....

haara mai aur saza meri dost ko mili..mere pure pariwar ko mili.....khair,NEHA AUNTY aur HARPREET UNCLE se milne ke baad mai apne room me chala gaya.....

jahan sabhi gharwaale mujhe normally dekh rahe the,wahin R0NIT maatra hi aisa tha jo mere saare haav bhaav ko dhyaan se note kar raha tha...

sabse milte waqt RONIT mere chehre ko gaur se dekh raha tha....usse andaza ho raha tha ki mai khudko control kar raha hun....

par kyun,ye wo samajh nahi paa raha tha par ek natije par wo confirm ho gaya tha aur wo ye ki mere saath kuch bohot bura hua hai...

kuch aisa jo usne kabhi socha nahi tha....aur usse ye bhi pata tha ki mujhse wo kuch pata nahi kar paayega par uske zehen me ek chehra ghum raha tha jo usse saari sachayi bata sakta tha...AVANTIKA........

yahan mai apne rooms me tangi meri RONIT aur ANJALI ki photos dekh hi raha tha ki mom aur dad mere paasaaye...

dono ne zidh ki ki aaj wo mere saath soyenge....maine mana kiya par wo dono nahi maane....aakhir me haar maan mai bed par let gaya....

jahan dad mere right side bed par sirahane me baith mera sir sehlaane lage wahin mom mere pair ke paas baith kar mere pair dabane lagin....

maine dono ko ye sab naa karne dene liye uthna chaha par pehle toh dad ne mere sir par haath rakh mujhe uthne nahi diya par fir bhi mai jab naa maana toh mom ne apni kasam de di...

maine ek lambi saans chhodi aur chupchaap let gaya...pichle 7 mahino se mai raat ko soya nahi tha..har raat mai ek jagah jaakar dhyan me baithta tha par aaj aisa posiible nahi tha....

dusri taraf mom dad ka yun care mere dimag ke andar khalbali sa machane laga aur khudko control me rakhne ke liye mai lete lete hi dhyan awastha me chala gaya....

har din ki tarah subah ke 4 baje mera dhyan toot gaya..par jab maine apne left right dekha toh fir ek jasbaaton ka samandar mere andar utha par maine khudko control kar liya...

ek side dad mere sir par haath rakhe rakhe baithe baithe hi so gaye the wahin dusri taraf mom toh bed par thi hi nahi...

wo bed ke neeche baith mere pairon ko dabate dabate mere pairon ke upar hi so gayi thi....

maine un dono ko uthane ka socha par fir mai rook gaya..agar abhi mai dono ko uthata toh fir mai jahan jaane waala tha wahan jaa nahi paata....

isiliye mai ussi position se lete lete gaayab ho gaya.....jis kaam se gaya tha wo kiya aur fir wapas jaise leta hua tha ussi position me aakar let gaya....

maine mom dad dono ko halka halka hilaya,wo dono jis position me soye the,usme unki neend waise hi kacchi thi,mere hilane se dono ki neend toot gayi aur uske baad ka conversation mai bata chuka hun....

FLASHBACK ENDS:-

TUJHE KABSE IN SABKI ZAROORAT PADNE LAGI.......

MAI- ledron ki basti me koi toh fit hona chahiye naa....

mujhe gym me aaye ek ghanta ho gaya tha...mai weight lifting kar hi raha tha ki itne me mere piche se ye awaaz aayi...ye aur koi nahi RONIT tha.....

RONIT- saale,ledra hoga tu?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
....tabhi toh apni haddiyan mazboot karne ke liye tujhe gymming ki zaroorat pad rahi hai....

MAI- beta jo gym hum karte hain wo sirf hum hi kar sakte hain....thik waise hi jaise teri bakwaas sirf tu hi kar sakta hai....

RONIT- ghante ka tum hi kar sakte ho..jo tu kar raha hai wo toh har koi karta hai....

MAI- paani me laath aur hawa me baat soch samajh kar karna chahiye baalak....ek kaam kar,isse sirf ek baar utha ke dikha....

maine apne weight lifter jisse mai bench press maar raga tha,uski taraf ishara kar RONIT se kaha....

mere aisa kehne ka reason jaanane ke liye RONIT bhi curious tha.usse ache se pata tha ki mai koi baat bewajah nahi kehta...

apne haath ko jhatakte hue RONIT weight lifter ke paas aaya aur bench par let gaya....agle hi pal........

mmmmmm....mmmmmmm.....mmmmmmm...

pehle thoda fir thoda zyada aur fir RONIT ne apni puri taakat laga di par fir bhi wo WEIGHT LIFTER ko utha nahi paaya....

ek minute tak apni puri jaan lagaane ke baad RONIT thak haar kar sidha khada ho gaya...

kamar par haath,chehre par thakaan aur aankhon me avishwaas liye wo meri taraf dekh raha tha....

MAI- apni sadi hui shakal ko aur kitna kharab karega.....nikal yahan se,mujhe gym karna hai....

par RONIT gaya nahi,wahin khada raha aur....

RONIT- pehle ye bata ki isse mai lift kyun nahi kar paaya...weight toh bas 200 kg hi dikha raha hai...itna toh mai apni ek ungli se utha sakta hun fir apni puri taakat lagakar bhi mai isse kaise nahi utha paaya....

MAI- ohho...scientist ko theory jaanana hai taaki koi naya invention kar sake....abbe,jab maine kaha ki tere bas ki naa hai toh chup chaap maan lena chahiye naa...

par nahi,hum toh apni dedh hoshiyaari dikha ke rahenge...kyunki kuch sikhe naa sikhe par apni bail buddhi dikhana toh humne paida hote saath sikh liya tha..kyun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


waise toh meri baat sunkar RONIT ko ghussa hona chahiye tha,par hua ulta..maine jis tarike se apni shakal bana bana kar baatein kahi thi usse sunkar RONIT ki hasi chhut gayi aur usse hasta dekh mai aur chidh gaya....

MAI- hihihihihi....hihihihihi.....daant niporna ho gaya ho toh nikal ab.....

RONIT- pehle ye bata ki mai isse utha kyun nahi paaya warna mai nahi jaane waala...

maine pehle kuch der RONIT ko ghur kar dekhta raha par saale par mere ghurne ka koi asar nahi pada isiliye......

MAI- universe me jitne bhi heavy metals hain,maine un sab ke wazan ko ek invisible energy me badal kar is weight lifter me daal diya hai....abhi iska wazan kisi planet ke wazan se bhi zyada hai.....

ye bolkar maine ek jhatke me us weight lifter ko utha liya....

mai toh wapas weight lift karne me lag gaya par meri baat sunkar RONIT ka mooh khulla ka khulla reh gaya.....

RONIT- agar iska weight inta zyada hai toh floor par koi asar kyun nahi ho raha hai..itne wazan ke saath toh yahan ki puri zameen yahan tak ki jahan tak iska impact hoga,wahan tak ki zameen dhas jaani chahiye....

MAI- iske andar jo weight energy maine daali hai,wo tabhi asar me aati hai jab isse uthaya jaata hai.zameen par aate hi iska weight normal ho jaata hai....

RONIT- WOWW.....AMAZING BHAI.....

MAI- kaash mai bhi tere baare me aisa kuch kabhi keh paata....hamesha bail buddhi ka bail buddhi hi rahega....

RONIT is baar bhi meri baat par has diya aur haste haste baahar nikal gaya......

jahan mai wapas gym karne me lag gaya wahin RONIT bike lekar kahin nikal gaya....

PLACE- AHUJA MANSION

GOOD MORNING MOM......

GOOD MORNING BETA.....kya baat hai,aaj kal tu bohot jaldi uth jaati hai.....!!!!!tune jogging bhi start kardi hai.....

subah ka waqt hai.....subha jaldi uth AVANTIKA kuch der tak room me rahi jaise wo har roz rehti hai,uske baad
ghar se baahar aa jogging par nikal gayi aur just louti thi......

AVANTIKA hall me pahunchi hi thi ki uski mom ki nazar uspar padh gayi......

AVANTIKA- toh ye toh achi baat hai naa mom.....

A/MOM- bohot achi baat hai beta..mai toh isiliye puch rahi hun kyunki pehle tu aisi nahi thi fir achanak yun change!!!!!

AVANTIKA- offo mom...pehle mai health consious nahi thi...ab hun,simple.....

THODA SA HEALTH CONSIOUS APNI BEHEN KO BHI BANA DE.....

ye awaaz SHANAYA ki MOM ka tha jo AVANTIKA ki taraf aa rahi thi......

AVANTIKA- SHANAYA ko kya hua???achi khaasi fit toh hai....

S/MOM- kahan se fit hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?ek toh late uthati hai,uspar ghar ka khaana toh jaise madam ko pasand hi nahi hai..baahar ka hi khaati hai..aise me toh uski tabiyat bigad jaayegi....

AVANTIKA- kuch nahi hoga usse...wo baahar ka zaroor khaati hai par unhyginic nahi khaati....acha mom,mai thoda baahar tehel rahi hun....

A/MOM- arre ab kahan chali....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?abhi toh jogging karke aayi hai....

AVANTIKA- wo actually mom target calories burn karne ke liye thoda aur chalna padega...mai aati hun...

ye bol bina kisiki koi baat sune AVANTIKA fatafat ghar se baahar nikal gayi...abhi AVANTIKA ne apne ghar ke gate se kadam baahar nikale hi the ki.......

HI AVNI........

AVANTIKA ka face is awaaz ki taraf hi tha jo ki aur kisika nahi RONIT ki tha....RONIT ko apne saamne dekh AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....

AVANTIKA- so mission accomplished,right!!!tum V.J ko wapas le hi aaye.....

RONIT- tumhe kaise pata???

AVANTIKA- V.J jitna toh nahi,par jaanti toh mai bhi tumhe ache se hi hun....V.J agar nahi aaya hota toh tum yahan mere paas wo bhi subah subah nahi aaye hote.....

RONIT- matlab!!!!

AVANTIKA- mere thank you kehne ka reason jaanane aaye ho naa...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?!!!!!

RONIT- haan...par saath me mai kuch aur bhi jsike baare me mujhe jaanana hai.....

AVANTIKA- hmm....thik hai...waise tumse zyada is pal ka maine intazar kiya hai...

RONIT - waqt!!!!kaisa waqt?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- tumhe sach batane ka aur......

RONIT- aur!!!!

AVANTIKA- tumhe mera ek kaam karna hai..actually mera nahi jo kaam tumhe karna hai wo V.J ka hai aur wo kaam bohot zaroori hai.....

RONIT- mai kuch samjha nahi.....

AVANTIKA- sab samajh jaaoge.....chalo,walk par chalte hain.....

RONIT ne apni bike wahin side me stand kar di aur fir wo aur AVANTIKA paidal hi aage badhne lage.....

kuch der tak dono ke beech khamoshi rahi..jahan AVANTIKA ye soch rahi thi ki kya usse RONIT ko sab kuch batana chahiye kyunki wo jaanti thi ki V.J ke saath jo hua wo sunkar RONIT ko bohot zyada taklif hogi...

wahin RONIT ke dimag me V.J ke gaayab hone ke baad ke sabhi lamhe ek ke baad ghumne lage the...wo jaanana chahta tha ki LORD OF ANGELS hone ke baawajud V.J ke saath aisa kya hua jo wo unki madad ke liye nahi aa paaya.....

RONIT ne AVANTIKA ki taraf dekha toh usse gehri soch me dooba paaya....

RONIT- AVNI,mujhe sab kuch jaanana hai,sab kuch....

AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir....

AVANTIKA- isse tumhe taklif ho sakti hai..bohot taklif.....

RONIT- jo taklif mai mehsoos kar chuka hun,usse zyada toh nahi hogi naa....

AVANTIKA ne ek gehri saans li aur RONIT ko sab kuch shuru se batana shuru kiya....

kaise wo VIKRAM aur ALESENDRA FOUNTAIN OF LIGHT ke saamne gaye..wahan kaise pehli baar VIKRAM ka saamna uske BHAI ASMODEUS aur bhatije BEELZEBUB se hua....

kis tarah V.J zakhmi ho maut ke kagaar tak pahunch gaya tha..kaise sitiuation ko aur mushkil banane ke liye ASMODEUS ne AVANTIKA ke sharir me zeher chhoda...

kis tarah V.J ki jaan bachi..bhavishyavani ka milna,uske baad un dono ka COURIOUS pahunchna....COURIOUS ka shraap aur kaise V.J ne COURIOUS waasiyon ko shraap mukt kiyaaa...

ASMODEUS ka plan....kaise PARIVARTAK ka ismtemaal kar ASMODEUS ne COURIOUS ke samay chakra ko pure bramhaand se tez kar diya..

AVANTIKA ne RONIT ko bataya ki kaise ASMODEUS ne COURIN PHAL ke andar apna khoon milaya aur jaise hi VIKRAM ne us phal ka sewan kiya,uski pehchaan usse alag ho gayi.......

VIKRAM ki haalat aur us haalat ke sach ko jaankar RONIT ek jagah baith gaya....jaise AVANTIKA ne kaha tha,usse bohot taklif hone lagi....

VIKRAM ne itna kuch saha wo bhi akele ye sochkar hi uska dard badhta jaa raha tha...

AVANTIKA ne bhi usse kuch der rone diya....kuch der baad jab RONIT ki taklif kuch kam hui toh.....

RONIT- V.J apne hosh me hi nahi tha aur isiliye usne mujhpar us din haath uthaya tha.....

AVANTIKA- galat....itna kuch hone ke baad bhi VIKRAM ne apne hosh ko kisi tarah sambhal kar rakha tha....

ASMODEUS ke khoon ki wajah se VIKRAM ko turant pura badal jaana chahiye tha..usse bhi paap ke raaste me nikal jaana chahiye tha par VIKRAM ne kisi tarah aisa hone nahi diya..

jis din usne tumpar haath uthaya tha,ussi din ya fir ye kahun usse kuch der pehle hi usse uski pehchaan chhini thi....PAAP uske sir par haawi tha...

itne kharab condition me hone ke baawjud usne kisi tarah apna dimag chalaya...

tumhe maarna,uthakar room se baahar fek dena,ye uska plan tha....wo chahata tha ki pure gharwaalon ko pata chale ki usne tumhare saath aisa kiya hai.....

jisse gharwaale uspe naaraz hon aur wo ghar chhodkar chala jaaye....kyunki wo jaanta tha ki agar wo ghar par raha toh zaroor gharwaalon ke saath kuch galat kar dega isiliye usne ye faisla liya.....

aur jaisa wo chahta tha,thik waisa hi hua....aunty ne usse ghar se nikal jaane ke liye kaha jisse usne ek second me maan liya aur chala gaya.....

RONIT- mere bhai ke saath itna kuch ho gaya aur mujhe khabar tak nahi.....isiliye wo DELHI........

RONIT apni aage ki baat kehte kehte rook gaya...usse apna wo sawal yaad aa gaya jo wo AVANTIKA se kal se puchna chahta tha....

RONIT- mujhe ek baat samajh nahi aayi....

AVANTIKA- kaun si baat???

RONIT- usse pehle ye batao ki kya V.J thik ho gaya hai..i mean ASMODEUS ka khoon kya ab uske andar nahi hai...

AVANTIKA- hai...ASMODEUS ka khoon ab bhi V.J ke andar hai....

RONIT- agar V.J isiliye hum sab se door gaya tha taaki uski wajah se humme se kisi ko nuksaan nahi pahunche toh fir hume uska pata chal kaise gaya???

i mean ye sach hai ki usne khud hume apne baare me nahi bataya par ye bhi ek sach hai ki agar V.J nahi chahta ki hum usse milen toh duniya me aisi koi taakat nahi hai jo hume usse mila de....

ya toh wo hamare ustak pahunchne se pehle hi gayab ho jaata or in first place,wo aisa kuch karta ki hum tak uski khabar pahunchti hi nahi.....

RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi.....

AVANTIKA- i must say,tumhara dimag kaafi chalne laga hai....

AVANTIKA ne tarrif ki par RONIT ka mooh ban gaya....

RONIT-waah,ek taraf tum ho jo mere dimag ki taarif kar rahi ho aur ek taraf wo khadus V.J hai jisne mujhe yahan aane se pehle bail budhhi ke naam se samaanit kiya hai.....

RONIT ki baat sun AVANTIKA khilkhila kar has padi.....

AVANTIKA- maine kaha naa ki abhi wo ASMODEUS ke khoon ke prabhaav se baahar nahi aaya hai....

RONIT- fir.....

AVANTIKA- isiliye maine tumse kaha tha ki agar tum V.J ko wapas laane me kaamiyab hue toh mai tumhe apne thanks kehne ki wajah bataungi.....

V.J ghar chhod kar isiliye gaya tha kyunki uske andar ka shaitan us waqt uspar haawi tha jisse sabse zyada nuksaan V.J ke gharwaalon ko matlab tum sab ko hota par...

V.J ka tumhare saath yahan aane ka matlab hai ki usne apne andar ke shaitan ko kuch hadh tak kaabu me karna sikh liya hai....

aur aisi haalat me ab baahar waalon ko V.J ke andar chhupe shaitan se khatra hai,gharwaalon ko nahi....

gharwaalon ki wajah se wo khudko control me rakh paayega aur isliye V.J tumsab ke saath wapas aa gaya....

isiliye maine tumhe thanks kaha tha kyunki V.J ke wapas aane ka matlab hai wo pehle se thik hai....

RONIT- thik hai,perfect nahi...aur mai V.J ko pehle ki tarah perfect dekhna chahta hun....

AVANTIKA-sirf tum nahi,pura UNIVERSE usse thik dekhna chahta hai kyunki UNIVERSE me shaanti banaye rakhna,ye V.J ki zimmedari hai jisse wo pichle 7 mahino se nahi kar paa raha hai.....

RONIT- par ye hoga kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- ussi tarike ya fir ye kahun ki ussi CHIZ ke paas jaakar jisse V.J ki haalat sudhri hai.....

RONIT- matlab!!!!

AVANTIKA- maine tumse kaha tha naa ki tumhe V.J ka ek kaam karna hai...ye wahi kaam hai jiske pure hone se shayad hume V.J ko theek karne ka koi idea mil sake....par....

RONIT- par!!!par kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- par isme bohot khatra hai...tumhari jaan bhi jaa sakti hai....

RONIT-ANJU ke roop me meri jaan pehle hi jaa chuki hai..ab bas mere paas mera BHAI hi toh bacha hai,uske liye agar ye dhadkan band bhi ho jaaye toh koi gum nahi....

AVANTIKA kuch der tak RONIT ko dekhti rahi fir......

AVANTIKA- hume kahin jaana hoga....par wahan se aane me waqt lag sakta hai isiliye pehle apne apne ghar chalte hain..ghar waalon se kuch bahana banakar tumhare ghar ke paas jo garden hai wahan 10 baje milte hain.....

RONIT- cool.....

baat karte karte AVANTIKA aur RONIT ghumte hue wapas AVANTIKA ke ghar ke saamne pahunch chuke the......

AVANTIKA ko bye aur 10 baje milne ka bol RONIT apne bike me baith apne ghar nikal gaya aur AVANTIKA apne.....

10 AM IN GARDEN:-

RONIT- toh ab?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- SECRILLA..... hume wahan jaana hoga....

SECRILLA FOREST ka naam sunkar RONIT ko shock laga....

RONIT kuch kehne hi wala tha ki....

AVANTIKA- sab bataungi par wahan pahunchkar...SECRILLA ke sarhad ke saamne ki jagah yaad hai tumhe....

RONIT- haan...

AVANTIKA- ussi jagah pahunchne ke liye DOOR kholo.....

RONIT ko AVANTIKA ki ye baat bhi samajh nahi aayi...par SECRILLA pahunchne tak ke liye usne kuch bhi puchna thik nahi samjha aur.....

agle hi pal RONIT ka ek haath hawa me tha jisse ek ray nikli..ray AVANTIKA aur RONIT ke saamne gol gol ghumne lagi aur dekhte hi dekhte us ray ne ek magical door ka roop le liya jiske dusri taraf SECRILLA ki wahi sarhad thi jahan unhe jaana tha....

AVANTIKA aur RONIT us DOOR se hote hue dusri taraf

chale gaye..unke cross karte hi DOOR band ho gaya....

RONIT- ab toh batao ki hum yahan kyun aaye hain aur jab hume SECRILLA jaana hai toh tumne mujhe yahan FOREST ke baahar kyun DOOR ki opening rakhne ke liye kaha?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- V.J ke theek hone ka solution hume SECRILLA ke andar hi milega.....

RONIT- yahan kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- MERCIA RIVER yaad hai.....V.J pichle 7 mahino se MERCIA RIVER ke andar ghanton tak dhyaan awastha me baithata hai...

aur mujhe lagta hai ki MERCIA RIVER ke paani se hi V.J apne andar ke shaitan ko,negetive energy ko control karne me kaamiyab hua hai.....samjhe.....!!!!

RONIT- kuch kuch?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA-baaki ka bhi samajh jaaoge.uske liye hume MERICIA RIVER ke paas jaana hoga....

par usse pehle hume hamare saamne jo SECRILLA ki sarhad hai,uske problem ko solve karna padega.....

RONIT- yahan kaisi problem?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- ussi problem ki wajah se hi toh maine tumhe SECRILLA ke andar DOOR ki opening rakhne se roka tha.....

darasal BHUVIKA aur BEELZEBUB ne is FOREST ki sarhad ke chaaro taraf apni shakti tarange failayi hui hai....

jaise hi humne SARHAD cross kiya,unhe pata chal jaayega.....

BHUVIKA aur BEELZEBUB ka naam sunkar pehle toh RONIT ko behad ghussa aaya par kuch hi pal baad uska ghussa tention me badal gaya....

bhale hi RONIT BEELZEBUB aur BHUVIKA se badla lena chahta ho,par wo ye bhi jaanta tha ki wo is laayak nahi hai....

apne josh ke chakkar me pichli baar usne apni mohobbat kho di thi.RONIT soch raha tha ki agar is baar bhi usne pichle baar jaisa react kiya toh shayad is baar AVANTIKA bhi naa bach paaye.....

aur wo apne jaisi haalat apne BHAI ka kaise hone de sakta tha aur isiliye.....

RONIT- wo dono bohot khatarnaak hain AVNI...hume wapas jaana chahiye....hum koi aur tarika dhund lenge....

RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi....

AVANTIKA- kya hua,dar gaye....

RONIT- haan,dar gaya par apne liye nahi V.J ke liye..maine toh apna pyar kho diya par agar tumhe kuch ho gaya toh mai V.J ko kya mooh dikhaunga.....

AVANTIKA- tumhari yahi problem hai...tum apni samajhdaari hamesha galat waqt par dikhate ho.....

RONIT- matlab???

AVANTIKA- matlab ye samajhdaari tumhe ANJALI ke waqt dikhani thi...aur jahan tak mera sawaal hai,BHUVIKA aur BEELZEBUB mera kuch nahi bigad sakte.....

RONIT ko AVANTIKA ki baaton ka matlab samajh nahi paaya..wo isse figure out karne ki koshish kar hi raha tha ki.......

RONIT- AVNI..............

RONIT ke mooh se AVANTIKA ke naam ki cheekh nikal gayi aur wajah....AVANTIKA ne ek dum casually chalte hue SECRILLA ke sarhad ko cross kar diya tha.....

AVANTIKA- kya hua??chilla kyun raha hai???tere saamne hi toh hun.....

abhi RONIT kuch kehta usse pehle hi......un dono ke chaaron taraf tez hawa chalne lagi....ab tak jahan achi khaasi dhoop khili hui thi,wahan ab halka andhera chaane laga...aur tabhi...........

do tez bijli AVANTIKA se kuch door saamne giri jisse do kaale dhuen ke gubaar uthe aur jab wo gubbar chaten toh RONIT aur AVANTIKA ke saamne BEELZEBUB aur BHUVIKA khade the.....

un dono ko apne saamne dekh jahan AVANTIKA normal hi rahi wahin RONIT ke man me dar ne ghar kar liya....

wo tezi se aage aaya aur AVANTIKA ke saamne khada ho gaya par AVANTIKA ne usse kandhe se pakad side me kar diya....

BHUVIKA- socha nahi tha ki itni jaldi tujhe maarne ka mouka milega....

AVANTIKA- sidhe mujhse request kar leti,mai pehle hi tere saamne aa jaati.....

aapko yaad hoga doston ke BHUVIKA ne ASMODEUS se AVANTIKA ko maarne ki baat kahi thi aur ASMODEUS ne use kuch kaha tha jiske baad BHUVIKA aur BEELZEBUB gaayab hokar kahin pahunche the aur ek SPELL bola tha....

wo dono yahin aaye the..ASMODEUS ne unse kaha tha ki ek naa ek din AVANTIKA yahan zaroor aayegi aur jab aisa ho tab wo AVANTIKA ko maar sakte hain....

isiliye BEELZEBUB aur BHUVIKA yahan aaye the taaki is jagah ko apni shakti tarango se baandh sake jisse jab bhi AVANTIKA yahan aaye toh unhe pata chal jaaye.....

BHUVIKA-naa tere paas koi shakti hai aur naa hi koi aur taakat...fir bhi itna ghamand...

BEELZEBUB- par kuch hi shano baad jab tu zamin par giri mout ke kagaar par hogi,tab teri saath saath tera ghamand bhi khatm ho jaayega....

AVANTIKA- tune thik kaha BHUVIKA ki mere paas koi shakti nahi hai,par mujhe kisi taakat,kisi shakti ki zaroorat bhi nahi hai,jaanti hai kyun,kyunki mai khud ek SHAKTI hun....

aisi SHAKTI jisse takrane ki aukaad tere bas ki nahi hai.....

aur BEELZEBUB,jab tera BAAP mujhe nahi maar sakta toh tu kis khet ki muli hai....

apne FATHER ke baare me sun BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....uske haath me current rays dikhne lage par isse pehle ki wo un rays ko AVANTIKA par chhodta....

RONIT- tum dono ko jo karna hai mere saath karo par AVANTIKA ko chhod do....

RONIT ki awaaz me ek laachari thi jisse mehsoos kar BHUVIKA aur BEELZEBUB has diye.....

BHUVIKA- teri awaaz me ek akad hua karti thi,wo kahan gayi?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BEELZEBUB- lagta hai iski premika ke saath saath iski akad ne bhi dum tod diya....

BHUVIKA aur BEELZEBUB ki baat sunkar RONIT ko bohot tez ghussa aaya par AVANTIKA ki khaatir wo apne ghusse ko pi gaya....

AVANTIKA- isse pyar,fikr kehte hain naalayakon par tumhare jaise gawaar ye nahi samjh sakte...aur jis akad ki tum baat kar rahe ho naa,chalo,tumhe usse bhi mila dete hain.....

AVANTIKA ki baat sun RONIT kuch kehne hi waala tha ki.......

AVANTIKA ne apna ek haath RONIT ke sir par rakha aur agle hi pal AVANTIKA ki aakhen band ho gayi....

SHAKTIYEM STHAANANTARAM

POWER TRANSFER

AVANTIKA ke mooh se SPELL sun RONIT ko jhatka laga par isse pehle ki wo koi pratikriya de paata

AHHHH.......

RONIT ke mooh se ek halki karah footi aur agle hi pal uska sharir vibrate hone laga....

jaise hi RONIT ka shirir vibrate hone laga,AVANTIKA ne apna haath uske sir se hata liya aur apni aankhen khol di.....

AVANTIKA ke haath hatate hi RONIT ke vibrations khatm ho gaye par......

RONIT- ye sab abhi kya hua....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?aur muje mera sharir itna bhaari bhaari sa kyun lag raha hai...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

AVANTIKA RONIT ke kaan me- abhi ke liye itna jaan lo ki tumhare andar in dono se kayi guna zyada shaktiyan hain...

par sirf kuch hi minutes ke liye....isiliye jo bhi ghussa tumhare andar in dono ke liye hai,wo in dono par nikal do....par yaad rahe ,inhe jaan se nahi maarna hai.....abhi iska waqt nahi aaya.....

jahan RONIT aakhon me hairat liye AVANTIKA ko dekhe jaa raha tha wahin BEELZEBUB aur BHUVIKA aaram se khade the....

unhe laga ki AVANTIKA kuch bhi karle par un dono ka kuch bigad nahi sakti.....

AVANTIKA-tumhe sab pata chal jaayega par abhi tumhare paas zyada waqt nahi hai..tumhare andar ki shakti ko tum zyada der tak control nahi kar paaoge isiliye waqt rehte unka istemaal kar lo.....

ab RONIT ne bhi baaki ki bataon ko baad ke liye taal diya aur BHUVIKA aur BEELZEBUB ki taraf palta.....

par is baar RONIT ke chehre par bebasi nahi baki aatmavishwas tha......

RONIT- bohot taakat hai naa tum dono ke andar...chalo,aaj tum dono ko mai tumhari aukad dikhata hun.....

BEELZEBUB- arre,iski akad toh wapas aa gayai..lagta hai.....AHHHHHHHHHH........

isse aage BEELZEBUB kuch keh nahi paaya....toh hua ye ki RONIT ne ghur kar BEELZEBUB ko dekha....RONIT ke aankhon se ek adrishya par bohot hi strong ray nikli aur BEELZEBUB ki taraf badhi...

BEELZEBUB toh RONIT ko bohot lightly le raha tha isiliye usne zyada dhyan nahi aur....

un adrishya rays ne BEELZEBUB ko lapet liya....aisa hote hi BEELZEBUB ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo tadapne laga....

BEELZEBUB se BHUVIKA judi hui thi....BEELZEBUB ke dard se usse bhi taklif hui par khud ko control me rakh BHUVIKA ne ek anergy beam RONIT ke upar chhoda....

us energy beam ki speed aur taakat bohot zyada thi..isse pehle ki RONIT kuch karta....

BOOM......

wo beam RONIT ke chest ke beech takraya aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua.....

dhamaka dekh BHUVIKA ke chehre par ek smile aa gayi par agle hi pal.....

dhamake se faila dhuan turant gayab ho gaya aur jab vision clear hua toh saamne ka nazara dekh BHUVIKA ki aankhen hairat se faile gayi....

RONIT aur uske piche AVANTIKA araam se muskurate hue khade the....us energy beam se un dono ko koi nuksaan nahi hua tha....

BHUVIKA ne zamin aur hawa ka awahan kiya aur dono ki shakti se ek ray banakar RONIT ke upar chhod diya...

BHUVIKA ke last prahar se RONIT ko apne andar ki shaktiyon ka knowledge ho gaya tha....isiliye is baar jab BHUVIKA ne uspar waar kiya toh RONIT ne bas apna haath aage kiya aur BHUVIKA ki taraf chalne laga....

BHUVIKA ke chhoda gaye ray ne jaise hi RONIT ke hatheli se chua,wo gayab ho gaya...

zamin par pada BEELZUBUB aur uske baaju me khadi BHUVIKA ye sab dekh chownk gaye.....

RONIT- bas itna hi dum hai....bohot ghamand hai naa tum dono ko apni shaktiyon par,ye dekho,

AVARTA SHAKTIYEMM....

LOCK THE POWERS.....

RONIT ke SPELL bolne ke baad kuch nahi hua aur aisa hote dekh BHUVIKA hasne lagi....BEELZEBUB bhi ab khada ho chuka tha aur uske chehre par bhi khilli udane waali hasi thi.....

par agle hi pal.......

BHUVIKA aur uske saath BEELZEUBUB ke chehre ke expressions badal chuke the..hasi ki jagah shock ne le li thi.....wahin ab RONIT ke chehre par muskurahat thi.....

toh hua ye ki BEELZEBUB ne haste haste hi ek SPELL bol apna haath aage kiya par kuch bhi nahi hua....

BEELZEBUB ke SPELL ne kaam hi nahi kiya....BEELZEBUB ke baad BHUVIKA ne bhi ek ghaatak SPELL uchharit kar apna haath aage kiya par BEELZEBUB ki hi tarah BHUVIKA ka SPELL bhi kaam nahi kiya....

jahan ye dekh wo dono shock me the wahin RONIT aur AVANTIKA ke chehre par smile thi.....

AVANTIKA- tumhare paas zyada waqt nahi hai RONIT...jaldi karo....

RONIT ko bhi apna sharir wapas halka halka vibrate hote mehsoos ho chuka tha isiliye....

RONIT ne apne dono haath aage kiye aur

UDVAHANI VIBHADA

ROPE OF PAIN

RONIT ke haath se do chamakte hue rope ki shakal liye rays nikle aur agle hi pal un RAYS ne BEELZEBUB aur BHUVIKA ko lapet liya aur aisa hote hi.....

AHHHH.......

AHHHHH........

BEELZEBUB aur BHUVIKA ke mooh se behad dard bhari cheekhen gunjane lagi...ye cheekhen itni zyada tez thi ki pura SECRILLA FOREST un dono ki awaaz ko mehsoos kar raha tha.....

RONIT- jaante ho ye kaisa dard hai jo tum dono mehsoos kar rahe ho....???ye dard un logon ka hai jinhe tum dono ne aaj tak maara hai ya tadpaaya hai....

tum dono wahi dard mehsoos kar rahe ho jo tumne nirdosh logon ko diya hai.....

BEELZEBUB aur BHUVIKA dono hi RONIT ki awaaz sun toh rahe the par un dono ki samajhne ki shakti lagbhag khatm ho gayi thi...

un dono ki shakti bandh zaroor gayi thi par thi toh wo un dono ke paas hi...dard ki atyadhikta se BHUVIKA aur BEELZEBUB ke sharir jagah jagah se fat rahe the par unki shaktiyon ki wajah se unke sharir wapas theek bhi ho jaa rahe the....

sharir ke fatne aur fir wapas thik hone ki kriya ke beech BEELZEBUB aur BHUVIKA ka dard itna zyada tha ki un dono ki aakhen band hone lagi.....

wahin un dono ke saamne khade RONIT ki body bhi ab bohot zyada vibrate kar rahi thi...RONIT ke sir par behoshi chaane lagi thi par RONIT khudko sambhale hua tha..

wo jaanta tha ki uska SPELL tab tak hi kaam karega jab tak RONIT hosh me hai....

tabhi............

ek saath do chizen hui......

pehli- BEELZEBUB aur BHUVIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga aur dono gayab ho gaye...

dusri- un dono ke gaayab hone ke agle hi pal RONIT bhi behosh hokar girne laga...

par uske neeche girne se pehle hi AVANTIKA ne RONIT ke sir ke neeche apna haath rakh diya....

uske baad AVANTIKA ne apna dusra haath RONIT ke sir ke upar rakha...RONIT ke sir se hote hue wo shaktiyan jo AVANTIKA ne usse di thi,wo wapas AVANTIKA me sama gayin....

kuch der tak RONIT behosh hi raha par fir dheere dheere uski aankhen khul gayi...

hosh me loutne ke baad bhi RONIT ko kuch der laga apni situation ko samajhne me aur jab RONIT ne AVANTIKA ko dekha toh uske dimag me kuch der pehle hui saari ghatnayen ghumi aur wo ek jhatke me khada ho gaya....

kuch der tak RONIT ek tak AVANTIKA ko dekhta raha..uski aankhon me bohot se sawaal aa jaa rahe the...

wahin AVANTIKA bhi RONIT ki haalat samajh rahi thi par wo chup thi..RONIT ke bolne ka intazar kar rahi thi.....

kuch der tak AVANTIKA ko dekhne ke baad RONIT ke honth hile......

RONIT- KAUN HO TUM?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- mai AVANTIKA hi hun RONIT.....

RONIT- fir tumhare andar itni shaktiyan.........

par isse aage RONIT kuch bol nahi paaya...bolna chhodo uska toh dimag hi fuse ho chuka tha.....

RONIT ke sawaal khatm hone se pehle hi AVANTIKA ke baaju me teen tez roshniyan hui aur jab wo roshniyan kam hui toh wahan par teeno GOD'S MESSENGER khade the....

AVANTIKA-MAAYA VAAKYAM

MAGICAL WORDS

is spell ka use pehle bhi ho chuka hai...ek baar ST SEBASTIAN ke dwara aur ek baar VIKRAM dwara..is SPELL ko apne secrets kehne se pehle bola jaata hai...isse koi bhi baahar ka banda us secret baat ko chaah kar bhi sun nahi paata..

RONIT teeno MESSENGERS ko dekh hi raha tha ki........

ST SEBASTIAN- ABHI KE LIYE AVANTIKA HI HAIN HUMARI.............

..........LORD OF ANGELS...........

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V...J........
 
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RONIT KO VIKRAM KI HAALAT KE BAARE ME JAANKAR DUKH HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF ST SEBASTIAN AVANTIKA KO LORD OF ANGELS KEHKAR SAMBHODIT KARTE HAIN
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-96

PLANET-MONSLICKEL

PLACE-ASMODEUS PALACE

AAO AAO MERE BACHON.....MERA SIR FAKR SE UNCHA KARNE KI KAISI SHABASHI DUN????...

ASMODEUS ke is baat ya fir ye kahun ki uske taunt ko sunkar uske saamne khade BHUVIKA aur BEELZEBUB ka sir sharm se jhuk gaye.....

aapko sabko yaad hoga ki ROPE OF PAIN me jakde BEELZEBUB aur BHUVIKA achanak gaayab ho gaye the...

wo dono khud gayab nahi hue the balki unhe ASMODEUS ne gaayab kar apne paas bula liya tha....

ASMODEUS- kya hua???sir jhukaye kyun khade ho???apni naakami me sharm aa rahi hai yaa apne ghamand ke tootane par....!!!!???

par BHUVIKA aur BEELZEBUB ab bhi bina ek shabd kahe apna apna sir jhukaaye khade the....

ASMODEUS un dono ke man me umad rahe sawaalon ko ache se padh paa raha tha...isiliye......

ASMODEUS- apne sharm ka naatak chhod jo sawaal tum dono ke man me ufaan maar rahe hain,wo pucho ho dafa ho jaao mere saamne se.....

is baar BHUVIKA aur BEELZEBUB ne dheere dheere apna sir upar uthaya aur.....

BEELZEBUB- FATHER.....aapse toh kuch bhi chhupa nahi hai....ye jo bhi hua,wo kaise ho sakta hai????

hum dono milkar bhi RONIT ka saamna nahi kar paaye...!!!

BHUVIKA- hum dono hi RONIT ke saamarthya se parichit hain..usme itna dum nahi ki hume hara sake aur wo bhi itni sahajta se....

ho naa ho ye sab us AVANTIKA ne kiya hai,par kaise????uske paas itni shakiyan kahan se aayin????aisi shaktiyan jinka saamna karna toh door hum uske saamne kuch shan bhi khade tak nahi reh paaye....

ASMODEUS- ye toh mai bhi jaanana chahta hun ki AVANTIKA ke paas itni shaktiyan aayin toh aayi kaise????

ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA aur BEELZEBUB ko jhatka laga...

aisa kuch jisse ASMODEUS anjaan ho,wo bhi tab jab usne khud BHUVIKA aur BEELZEBUB ko AVANTIKA dwara RONIT ko diye shakti se ladhte hue dekha tha,ye baat unhe hazam nahi ho paa rahi thi.....

BEELZEBUB- aapko nahi pata FATHER???par ye kaise ho sakta hai????

ASMODEUS- is bramhaand ka ek maatr sach yahi hai ki yahan kuch bhi ho sakta hai...khaas karke tab jab kisi baat kisi vishay me MAI aur VIKRAM jude hue hon....

BEELZEBUB- par yahan baat toh AVANTIKA ki hai naa....

ASMODEUS- VIKRAM aur AVANTIKA ek hi dhaage me piroye do moti hain...AVANTIKA ke paas beshak koi maayavi ya aloukik shakti nahi hai par usse iski zaroorat hi nahi hai...

jab tak VIKRAM jeevit hai tak tak AVANTIKA ek abedhya kile ki tarah hai jisse bheda nahi jaa sakta.....

ASMODEUS ke mooh se AVANTIKA ki taarif sunkar BEELZEBUB aur BHUVIKA dono ko acha nahi laga.....

BEELZEBUB- FATHER.....AVANTIKA ne aapka bhi apmaan kiya tha....usne kaha ki.....

ASMODEUS- JAB TERA BAAP MUJHE NAHI MAAR SAKTA TOH TU KIS KHET KI MULI HAI.....

BEELZEBUB ki adhuri baat ASMODEUS ne puri kar di.....

BHUVIKA- ji DEVIL LORD,usne aapka apmaan karne hetu inhi shabdon ka prayog kiya tha...

BHUVIKA aur BEELZEBUB ko laga ki ab ASMODEUS bhadkega par jo baat ASMODEUS ne kahi,usse sunkar dono ko ek aur jhatka laga.....

ASMODEUS-sach kadwa hi hota hai aur sach ko kabhi apmaan ki shreni me nahi rakha jaata....

AVANTIKA ne jo kaha wo shat pratishat satya hai aur satya se lajjit nahi hua jaata.....

BEELZEBUB- par FATHER,aapne toh ISLA me AVANTIKA ke sharir me shakrun vish ko sthanantarit (transfer) kiya tha naa....

ASMODEUS-ye yaad raha ki maine AVANTIKA ke sharir me vish milaya tha kintu ye yaad nahi raha ki kin paristithiyon me mai aisa karne me kaamiyab hua tha.....

us waqt VIKRAM ka sharir murchit tha..itna hi nahi uski aloukik shaktiyan bhi uske sharir se nikalte rakht ke saath kamzor padh gayi thi....

isiliye us waqt AVANTIKA ka kawach jo usse paida hote saath hi mil gaya tha,wo bhi kamzor ho gaya tha aur isiliye mai uske sharir me VISH daal paaya tha....

par abhi aisa kuch bhi nahi hai....is waqt AVANTIKA ke paas naa sirf uske khud ka abhedya surakhsa kawach hai,par uske saath saath VIKRAM ki apaar shaktiyan bhi usse judi hui hai....

aise me usse maarna toh door,haani pahunchana bhi asambhav hai....

BHUVIKA- agar aisa hai toh jab humne AVANTIKA ko maarne ki baat kahi,toh aapne hume mana kyun nahi kiya????

ASMODEUS- ek aam ladki se tumhe itni shaktishaali bana diya uske baad bhi tumhari murkhata bhare faislon ko mai thik karta rahun????

AVANTIKA ko agar haani pahuchaya jaa sakta toh tumhare kahne se pehle hi maine tumhe aisa karne ke liye keh diya hota....

par tum dono hi itne murkh ho ki jab tak saari baat kisi bacche ko samjhaane ke jaise hi tumhe bhi naa samjhaya jaaye,tab tak tumhara mastishk sunya hi rehta hai....

jitni haani tum VIKRAM ko pahucha sakti thi,utni pahuncha chuki ho...isse zyada tum kuch nahi kar sakti par ye baat tumhari buddhi me pravesh hi nahi karti toh mai kya kar sakta hun....

jahan ASMODEUS ki baat sunkar ek baar firse BHUVIKA ka chehra sharm se jhuk gaya tha wahin BEELZEBUB ke dimag me ek dusre sawaal ne janm le liya tha...

aur jaise hi ASMODEUS ne apni baat khatm ki tabhi........

BEELZEBUB- FATHER???kya mai kuch puch sakta hun????

ASMODEUS ko BEELZEBUB ke sawaal ke baare me pata tha fir bhi usne uske sawaal ko sunane ke liye apne sir ko ek halki si jumbish di.....

BEELZEBUB- hume satya se parichit karane ke liye aapne hume AVANTIKA ko maarne ke liye haan kaha kintu aapne SECRILLA hi kyun chuna aisa karne ke liye....!!!???

aur AVANTIKA wahan kar kya rahi thi????

ASMODEUS toh BEELZEBUB ke puche gaye sawaal ke baare me pehle se jaanta tha isiliye wo normal hi raha par par BHUVIKA is sawaal ko sun jigyasa bhari nazaron se ASMODEUS ke taraf dekhne lagi....

ASMODEUS- pichle saath mahino se VIKRAM puri raat SECRILLA me MERCIA RIVER ke paani ke upar dhyaan awastha me bitata aaya hai aur praatah hote hi wo ussi paani ke andar chala jaata hai dobara dhyaan me baithne ke liye.....

mujhe jaanana tha ki wo aisa kyun karta hai???VIKRAM ke saath jo hua hai usse kewal AVANTIKA hi jaanti hai aur uske upar wo VIKRAM ki shakti bhi hai.

mujhe andesha tha ki ek naa ek din VIKRAM ke piche piche AVANTIKA bhi zaroor SECRILLA pahunchegi.....

isiliye maine tum dono ko us jagah par apni shakti tarange chhodne ko kaha tha jisse jab bhi wahan koi aaye toh tumhe pata chal jaaye....

BEELZEBUB- VIKRAM MERCIA RIVER ke upar aur bhitar dhyaan lagata hai,iska kaaran jaanana aapke liye toh maamuli baat hai FATHER.....

aur khaas kar tab jab aapka khoon VIKRAM ke bhitar hai....unke dimag me chal rahi saari baatein toh aapko aapke khun ki wajah se pata chal hi jaati hongi....

ASMODEUS- yahi toh samasya hai...pehle kuch din tak mai uski har soch padh paa raha tha par jabse wo MERCIA RIVER ke andar dhyaan lagane baitha hai,tab se mai aisa karne me asamarth hun....

kisi tarah VIKRAM ne apne vicharon ko apne dimag me aane se rokne ki kala sikh li hai....

BHUVIKA- agar ye sab MERCIA RIVER ki wajah se hua hai,toh hume us river ko hi khatm kar dena chahiye....

naa rahega baans,naa bajegi baasuri.....

BHUVIKA ki baat sunkar ASMODEUS ko hasi aa gayi.....

ASMODEUS- jao,ye bhi karke dekh lo...par ek baat yaad rakhna,is baar mai tumhe nahi bachaunga.....

ASMODEUS ki baat sunkar BHUVIKA ko apni galti ka ehsaas hua..usse yaad aaya ki wo firse wahi galti kar rahi hai jo usne AVANTIKA ke waqt ki thi..bina sach jaane faisla lene ki galti......

jab ASMODEUS ko gyaat hua ki BHUVIKA ko apni galti ka ehsaas ho gaya hai tab usne aage kehna shuru kiya.....

ASMODEUS- VIKRAM ke MERCIA RIVER me dhyaan lagaane ke baad se hi us RIVER ke chaaron taraf ek abhedya kawach ban gaya hai....

ek aisa kawach jisse bheda nahi jaa sakta...har din jab tak VIKRAM us river tak nahi pahunchta,mai usse dekh paata hun,par jaise hi wo us RIVER ke paani ko chhuta hai,mujhe VIKRAM dikhna band ho jaata hai...

is gutthi ko sidhi tarah suljhaya nahi jaa sakta..isiliye maine AVANTIKA ka sahara lene ki sochi....

maine socha tha ki jab tum dono uske saamne jaaoge,toh tumhari aakhon se mai wahan ka saara drishya dekh paaunga par aisa ho nahi paaya.....

AVANTIKA ke paas maatra khudko aur apne aas paas waalon ko bachane ke liye ek surakhsha kawach tha,par aakarman shakti ka uske paas hona ab ek nayi paheli ban gayi hai....

tum dono ko wahan se waapas laane ke baad mujhe wahan ka drishya dikhna bhi band ho gaya hai.....

BEELZEBUB- toh ab?????

ASMODEUS- SAMAY...ek naa ek din SAMAY sabhi raazon se parda utha hi deta hai..is raaz se bhi aaj nahi toh kal parda uth hi jaayega.....

BHUVIKA- ab hamare liye kya aadesh hai???

ASMODEUS- yahi ki dobara apni murkhta ka parichay mat dena....jaa sakte ho.....

BHUVIKA aur BEELZEBUB ne apna sir ek baar firse ASMODEUS ke aage jhukaya aur gaayab ho gaye.....

ASMODEUS- AISI CHAAL KO KAISE ROKA JAAYE JO DIKH HI NAHI RAHA????

PLANET- EARTH

PLACE- SECRILLA

JAANTI HUN KI BAAT THODI SHOCKING HAI,PAR ITNE BHAYANAK REACTIONS TOH MAT DE.......

apni baat bol AVANTIKA ne RONIT ke kandhe ko hilaya,tab jaakar uska mooh band hua aur wo apni khayalon ki duniya se reality me wapas aaya.....

par ab bhi RONIT ek tak AVANTIKA ko dekh raha tha aur jo sach kuch der pehle ST SEBASTIAN ne usse bataya tha,usse hazam karne ki koshish kar raha tha....

AVANTIKA ka RONIT ko ye sach khud batane ki jagah ST SEBASTIAN ke mooh se bulwane ka reason ye tha ki wo jaanti thi ki agar usne ye baat batayi toh RONIT vishwas nahi karega...

baat jo itni badi thi...isiliye RONIT ke uski shaktiyon ke baare me sawal puchte hi AVANTIKA ne teeno MESSENGERS ko man hi man yaad kiya aur uske aisa karte hi GOD'S MESSENGERS wahan prakat hue aur apni baat keh dobara gaayab ho gaye......

kuch der laga fir jaise hi RONIT ne AVANTIKA ke sach ko digest kiya......par sawaal toh uske man me ab bhi the..isiliye......

RONIT- par kaise???i mean ye koi exam toh hai nahi ki topper ne exam nahi diya toh koi aur top kar lega....

VIKRAM LORD OF ANGELS hai kyunki wo parmeshwar putr hai par tum kaise?????

AVANTIKA- jaanti hun is baat ko digest karna mushkil hai par yahi sach hai,par adhura sach....

RONIT- ab ye kya baat hui??adhura sach matlab!!!!

AVANTIKA- mere andar LORD OF ANGELS ki saari urja hai,par mai unka LORD OF ANGELS matlab VIKRAM ki tarah istemaal nahi kar sakti....

RONIT- mujhe abhi bhi tumhari koi bhi baat samajh nahi aa rahi hai.....

AVANTIKA- do minute dimag aur man dono ko shaant rakh meri puri baat sun,sab samajh me aa jaayega....

LORD OF ANGELS ki urja ka pura istemaal karne ke liye VIKRAM ke dimag jaise dimag ki zaroorat padti hai...

ek aisa dimag jo kisi bhi insaan se carodon guna tez chalta hai...jiske andar ek second ke souve hisse me hi naa sirf bade se bade faisle lene ka hunar hota hai,balki us faisle ko haqiqat ka roop dene ki shamata bhi hoti hai....

is pure universe me VIKRAM jaisa dimag sirf uske BHAI ke paas hai aur kisi ke paas nahi....

par jaisa ki maine bataya tha ki COURIOUS me ASMODEUS ne chhal se V.J ke dimag ko apne khoon dwara control me kar liya tha...

ASMODEUS ne VIKRAM ke dimag ko hi isiliye nishana banaya kyunki iske alawa ASMODEUS ke paas koi aur option nahi tha....

kyunki koi bhi kaali shakti VIKRAM ko nuksaan nahi pahuncha sakti...balki har kaali shakti V.J ke sharir me sama kar WHITE ENERGY me tabdil ho jaati hai....

par jaise hi ASMODEUS ka khoon V.J ke dimag me pahuncha,us khoon ne V.J ke dimag ko dheere dheere apne bas me karna shuru kiya....

jaise jaise ASMODEUS ke khoon ka asar V.J ke dimag me hone laga,waise waise V.J ki urja uski pehchaan usse door hone lagi....

par jaisa ki maine bataya,V.J ka dimag ek second se bhi kam waqt me bade se bade faisle le sakta hai,toh V.J ne apne dimag par ASMODEUS ke haawi hone se pehle hi turant ek faisla liya.....

isse pehle ki V.J ki urja usse door jaati,usne us urja ko mere andar transfer kar diya....

RONIT- yahi toh mera main do questions me se ek hai....tum itni badi shakti ko kaise sambhal paa rahi ho...

mujhe us shakti ke bas ek halke se ansh ko kuch der sambhalne me itni taklif hui aur tum us shakti ko pichle 7 mahino se lagatar sambhal rahi ho???kaise????

AVANTIKA- kyunki mera janm hi isiliye hua hai..mai naa sirf VIKRAM ki shakti hun,balki WO TIJORI BHI HUN JISME VIKRAM APNI SHAKTIYAN RAKH SAKTA HAI....

mujhe bhi is baat ka pata nahi tha,jab V.J ne apni shaktiyan mujhe sounpi tab mujhe is baat ka pata chala....

RONIT- my goodness...jis waqt ASMODEUS ka khoon V.J ke dimag ko apne kabze me kar raha tha,us waqt bhi V.J ne itne aage ka soch liya tha....

AVANTIKA- itna hi nahi,V.J ne kisi tarah bina apne dimag pe zor daale ye bhi pata kar liya ki MERCIA RIVER me wo apne dimag ko niyantrit kar sakta hai....

RONIT- par ye usne kaise kiya?????

AVANTIKA- yahi toh pata lagane hum yahan aaye hain..shayad isse ye bhi pata chal jaaye ki V.J ke dimag se ASMODEUS ke khoon ko kaise nikal jaaye.....

RONIT- hmm....par ek sawal reh gaya.....

AVANTIKA- yahi naa ki jab mai V.J ki shaktiyan istemaal nahi kar sakti toh maine tumhare andar uski shaktiyon ki urja kaise chhodi....

RONIT- haan...

AVANTIKA-V.J ki urja samandar ki tarah hai...aur samandar se ek jug paani nikalne se samandar ko koi fark nahi padta...

thik waise hi maine V.J ki urja ka ek maamuli sa bhaag tumhare andar transfer kiya wo bhi kuch samay ke liye....

ab ek bank ke paison ko uska branch use toh kar hi sakta hai naa....

AVANTIKA ki baat sunkar RONIT aur khud AVANTIKA has diye....

RONIT- toh ab???

AVANTIKA-hume MERCIA RIVER ke paas jaana hoga....hamare problem ka solution wahin hai....

RONIT ne MERCIA RIVER ke saamne ke view ko yaad kar apna haath aage kiya...RONIT aur AVANTIKA ke saamne ek MAGIC DOOR khul gaya jisse hote hue dono MERCIA RIVER ke bank ke paas pahunch gaye.....

MERCIA RIVER.......jisse DIVINE RIVER bhi kaha jaata hai..agar is RIVER ke baare me yaad naa ho toh UPDATE 60 padh len....

RONIT- ab kya karen?????

par AVANTIKA ne RONIT ki baat ka koi jawab nahi diya..MERCIA RIVER ke saamne aate hi AVANTIKA apne seene me haath rakh usse press kar rahi thi.....

RONIT- kya hua AVNI??? are u alright??!!!

AVANTIKA- hmm....yahan aate hi mai apne andar ek hulchal feel kar rahi hun....

aisa lag raha hai jaise V.J ki urja baahar aana chahti hai....

RONIT- toh le aao baahar usse..shayad koi clue mil jaaye...

AVANTIKA- mai aisa nahi kar sakti...V.J ki urja 1000 surya ke tej se bhi adhik shaktishaali hai...agar usse aise hi khula chhod diya jaaye toh har taraf tabahi mach jayegi.....

RONIT- par kuch toh karna padega naa...mai ek kaam karta hun,paani me utar kar dekhta hun..shayad paani ke andar kuch ho jisse hume madad mile.....

par AVANTIKA ne RONIT ke suggestion par kuch nahi kaha ur kuch sochne lagi...kuch der sochne ke baad.....

AVANTIKA- apna ek pair aage badhao..par dheere se.....

RONIT ko AVANTIKA ki baat ka matlab samajh nahi aaya par usne filhal kuch nahi pucha....

RONIT aur AVANTIKA is waqt nadi ke chhor se kuch kadam door khade the...RONIT aage badha aur jaise hi usne apna ek pair paani me rakhne ke liye badhaya........

AHHHH.........

DHOOB............

paani se ek adrishya ray nikli aur us ray ne RONIT ke us pair ko lapet liya jo paani me jaane ke liye aage badha tha...

us ray me bohot tez electric current thi...uske pair ko lapetethe hi RONIT ko ek tez jhatka laga jis wajah se uske mooh se aah nikal gayi..

par wo ray yahin nahi rooki....us ray ne RONIT ko hawa me uthakar patak diya.....

RONIT ke neeche girte hi AVANTIKA turant uske paas pahunch gayi....

AVANTIKA-RONIT......tum thik ho....

RONIT- kya pata????saala body me abhi tak jhatke lag rahe hain...

kuch der tak ussi position me pade rehne ke baad RONIT khada ho gaya....

AVANTIKA- hmm..mujhe laga hi tha ki aisa kuch hoga....

RONIT- toh kurbaani ke liye mai hi mila tha kya????

AVANTIKA- maine toh tumhe pehle hi kaha tha ki yahan khatra hai..aur ye jo hua wo toh bas ek sample tha,asli khatra toh paani ke andar hai....

RONIT- par saala ye tha kya????

AVANTIKA- V.J ke yahan dhyan lagane ki wajah se uske sharir se nikalne waali tarangon se ye puri jagah ek adrishya suraksha ghere me badal gayi hai...

oh shit.....ye mai kaise bhul gayi.......

AVANTIKA ko achanak jaise kuch yaad aaya tha......

RONIT- kya bhul gayi......

AVANTIKA-toh isiliye V.J yahan aata tha....

RONIT- tu kya bole jaa rahi hai..mujhe bhi kuch batayegi ki tu kis baare me baat kar rahi hai???

AVANTIKA-MERCIA RIVER ke asli prabhav ke baare me......aaj bhi agar kisi pavitra cheez ko is paani me dubaya jaaye toh iski divyata us cheez me chali jaati hai.....

V.J GOD ka beta hai..usse zyada pavitra aur kaun hoga....???V.J ke is RIVER ke andar lagatar jaane se is paani ki divyata bhi V.J ke andar lagatar jaa rahi hai aur ussi divyata ke prabhav se V.J ke dimag me moujud ASMODEUS ke khoon ka asar kam ho gaya hai ya fir V.J khudko control kar paane me kaamiyab ho paa raha hai....

par saath hi V.J ki dhyan shakti ki wajah se uske alawa is paani me koi nahi ghus sakta.....

RONIT- matlab,hamara yahan aana waste ho gaya....

AVANTIKA- bilkul nahi..yahan aayen hain toh koi naa koi solution toh lekar hi jaayenge...

RONIT- par kaise????

AVANTIKA- tere saath is paani me V.J bhi jaayega????

RONIT- tu bhale hi V.J ki puri shaktiyon ko use nahi kar sakti,par tu aaj kal bilkul uske jaise hi ghuma firakar baat karne lagi hai...

RONIT ki baat sunkar AVANTIKA muskura uthi....

RONIT- ab muskurana chhod aur bata ki kya karen????

par is baar bhi AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas apne dil par haath rakh apni aakhen band kar li.....

AVANTIKA ke aisa karte hi uske DIL waali jagah par ek tez roshni hui aur us roshni ke beech safed dhuen ki shakal lekar ek aakriti ban gayi.....

us aakriti ke bante hi AVANTIKA ki aankhen khul gayi.....

AVANTIKA ki aankh khulte hi RONIT usse kuch puchna chahta par usse pehle hi.....

AVANTIKA- ye V.J ki urja hai......shayad isse kaam ban jaaye......!!!!

RONIT ko ab bhi AVANTIKA ka plan samajh nahi aaya tha par isse pehle ki wo AVANTIKA se kuch puchta,AVANTIKA ne us aakruti ya fir ye kahun ki V.J ki urja ko RONIT ki taraf ishara kiya.....

aur agl hi pal..........

RONIT- ye kya hai??isne mujhe gher kyun liya hai????

toh hua ye ki AVANTIKA ke ishara karte hi us urja bhari aakruti ne RONIT ko chaaro taraf se gher liya....aisa lag raha tha maano RONIT ne us aakruti ko odh liya hai...

us aakruti ne RONIT ko chaaron taraf se ghera zaroor tha par usse chua nahi tha...aur wajah,V.J ki urja ka touch RONIT bardasht nahi kar paata...

AVANTIKA- ab paani ki taraf jaa...shayad ab tujhe kuch naa ho!!!!

RONIT-shayad....!!!!!

AVANTIKA ne apne kandhe uchka diye....

RONIT- saali ye dosti kya kya karwati hai....???

RONIT ne ek lambi saans chhodi aur paani ki taraf chal pada..uske saath saath hi usse cover kiye hue V.J ki urjaatmak aakruti bhi chal rahi thi...

aur jaise hi RONIT ne paani me apna pehla kadam rakha,uski khushi ka thikana nahi raha...reason,is baar usse kuch nahi hua tha...

usne palat kar AVANTIKA ki taraf dekha jiske chehre par bhi is waqt santushti ke bhaav the....

AVANTIKA- RONIT tumhe nadi ke beech jaana hai....aur wahan se exact neeche ki taraf tairna hai....V.J ussi jagah par paani ke gehraayi ke last point par dhyaan lagata hai...

RONIT- wo jagah kitni gehraayi me hai???

AVANTIKA- exact toh nahi keh sakti par near about 150 to 200 feet....kya tum ye kar paaoge...???

RONIT- haan,training ke waqt ladhte hue bhi 30 minute tak toh mai saans rok leta tha....mere khayal se utna time kaafi wahan jaakar waapas aane ke liye...

par wahan last point par jaakar mai karunga kya???

AVANTIKA- ye toh mujhe bhi nahi pata...par itna guaranty ke sath keh sakti hun ki wahan tumhe koi na koi kaam ki cheez zaroor milehgi...

agar tumhe kuch important lage,toh usse apne saath le aana....

RONIT- thik hai....

ye bol RONIT paani ke andar jaane ke liye palta hi tha ki....

AVANTIKA- RONIT....wahan andar kuch bhi ho sakta hai....ye mat bhoolna ki wahan V.J kyun jaata hai..ASMODEUS ki shaktiyon ke presuure ko control karne ke liye....

isiliye wahan neeche zarror V.J ki dhyan ki urja se nikalne waali shaktiyon ke saath saath ASMODEUS ki wo shaktiyan bhi nikal kar moujud hongi jisse V.J ne khud ko control karne se rok rakha hai.....

aur wo shaktiyan behad khatarnaak ho sakti hain.....isiliye dhyan se.....

RONIT- mere saath toh V.J ki urja hai..mujhe kuch nahi hoga???

AVANTIKA- exactly...tumhare saath V.J ki urja hai isiliye ASMODEUS ki shaktiyan tumhara sidhe taur par kuch bigaad nahi paayengi...par wo chup bhi nahi baithengi...

isliye apna dimag khula rakhna....kuch bhi ho jaaye,thande dimag se soch kar faisla karna...aur koi bhi important ya kuch alag si chiz dikhe,toh usse apne saath le aana.....

RONIT ne apna sir haan me hilaya aur wapas mud paani me dive laga di....

AVANTIKA- GOD,please help him.....

jahan AVANTIKA apne finger cross karke idhar udhar bechaini se tahalne lagi wahin...

RONIT-wow yaar,kitna saaf paani hai......

RONIT paani me tairta hua aage badha aur kuch hi der me wo MERCIA RIVER ke beech me tha...centre me pahunch RONIT ne apni saans kheenchi aur agli hi pal RONIT ka sharir paani ke andar tha....

MERCIA RIVER ko beech se chirta hua RONIT ka sharir neeche ki taraf jaa raha tha...

neeche jaate jaate paani ki shudhta aur swacchata ko nihaarta hua RONIT man hi man is paani ki duniya ki taarif karte karte aage badh raha tha....

RONIT aadhe se zyada safar tay kar chuka tha....RONIT ne apni aakhon se dekhne ke range ko bhi badha liya tha...RONIT bina koi tention apne manzil ke kareeb pahunch hi raha tha ki.....

RONIT- arre,itne saaf paani ke beech ye maila bawandar kaisa....?????

toh hua ye ki RONIT ab paani ke last point se kuch feet hi door tha ki usse apne niche ek jagah ek bawandar dikha jiska colour mitti ki tarah tha....

RONIT sidhe us bawandar ke paas naa jaate hue us bawandar waali jagah ke thoda right side jaakar rook gaya aur us bawandar ko dhyaan se dekhne laga...

kuch hi seconds me RONIT ko us bawandar ke baare me pata chal gaya jisse figure out karte hi wo shock ho gaya...

RONIT- oye teri....ye bawandar nahi machliyan hain.....

kuch yaad aaya doston..ye wahi machliyan hai jo V.J ke dhyaan lagate waqt usse ghere rehti thi aur is waqt wo saari machliyan ek bohot bada jhund banakar us jagah ke tezi se chakkar kaat rahi thi jis jagah par V.J baith kar dhyan lagaya karta tha....

un machliyon ka colour halka mitti jaisa tha jis wajah se unke ghumte waqt wo mitti se uthne waale bawandar ki tarah dikh rahe the....

jaise hi RONIT ko pata chala ki uske saamne ghum rahi cheez bawandar nahi machliyan hain toh wo un machliyon ke paas jaane laga par tabhi......

machliyan jo bohot tezi se ek hi jagah par gol gol ghum rahi thi,unhe ye abhaas ho gaya ki koi unke paas aa raha hai....aur agle hi pal un saari machliyon ne ek naya formation banaya...

dekhte hi dekhte un machliyon ne ek diwal ka roop le liya.....aisa lag raha tha maano wo machliyan RONIT ko rok rahi hon aage badhne se.....

RONIT ye sab dekhkar shocked ho gaya..par abhi uske paas zyada der tak shock me rehne ke liye time nahi tha isiliye wo aage badhne laga....

RONIT ko naa rookta dekh un machliyon me se kuch machliyon ne teer ka formation le liya aur agle hi pal......

kamaan se chhute teer ki gati se hi wo machliyan RONIT ki taraf aane lagi....

par RONIT ne kuch bhi nahi kiya..wo ek jagah par sidha hokar rook gaya aur tabhi....

paani ke andar hi bijli si chamki aur agle hi pal wo saari machliyan jo RONIT ko maarne aa rahi thi,wo mar chuki thi.....

toh hua ye ki RONIT se takraane se pehle hi un machliyon ko V.J ki us urja se takrana pada jo is waqt adrishya thi....

V.J ki urja se takraate hi wo saari machliyan mar gayin....aur agle hi pal.....

ussi urja se jo is waqt RONIT ko ghere hue thi,ek tez ray nikli aur jaakar saamne khadi machliyon ke diwal se takraayi....

is prahar se aadhi se zyada machiyon ne dum tod diya aur baaki ki machliyan bhaag gayi....

ab saamne ka nazara ek dum saaf tha par jo chiz RONIT ke saamne aayi,usse dekhkar RONIT ko ek baar firse shock laga.....

is waqt us jagah par jahan V.J dhyan ki awashta me baiththa tha,wahan ek shark ki size ki machli baithi hui thi jiske sharir se halki halki white light nikal rahi thi.....

par sabse shocking baat ye thi ki ek bade shark ke size ki wo machli jo is waqt RONIT ke aankhon ke saamne thi,wo asal me un choti choti machliyon me se ek thi jo abhi thodi der pehle bawandar ka roop lekar gol gol ghum rahi thi.....

RONIT- saala ye kya panga hai....????zaroorat se zyada toh nahi khaa liya isne jo itni faile gayi....

ab tak RONIT us machli ko ghur kar dekh raha tha
par tabhi uska dhyan apne chaaron taraf faile urja ki taraf gaya jo ab dheere dheere visible hone lage the...ab is naye parivartan ko RONIT samajhne ki koshish kar hi raha tha ki........

uaannnmmmmmmm.........

ek ajeeb si awaaz RONIT ke kaano se takrayi ya fir ye kahun ki paani ke vibarations uske sharir se takraaye jisse ye awaaz aa rahi thi....

aur jab RONIT ne saamne dekha toh turant alert ho gaya...reason........wo SHARK numa machli is waqt RONIT ko hi dekh rahi ya fir ye kahun ghur rahi thi....

ussi ke sharir se ye vibrations nikal rahi thi jisse wo ajeeb awaaz baahar aa rahi thi....un vibrations ka asar bohot zyada tha,agar RONIT ke chaaron taraf V.J ki urja nahi hoti toh wo un vibrations ki chapet me aa chuka hota....

RONIT us machli ke kareeb jaane ki soch hi raha tha ki tabhi.......

bijili ki tezi se wo machli RONIT ki taraf badhi.....uski speed itni tez aur impactful thi ki us puri jagah me me bhukamp sa aa gaya...

isse pehle ki RONIT kuch react karta

........BOOM..........

.......RONITTT........

ye awaaz AVANTIKA ki thi..jab se RONIT paani ke andar gaya tha,tabhi se AVANTIKA paani ke us jagah ko ghur rahi thi jiske exact neeche is waqt RONIT gaya tha....

guzarte waqt ke saath AVANTIKA ki bechaini badhti hi jaa rahi thi ki tabhi........

paani ke beech ek tez blast hua....is blast se RIVER ke beech ke hisse ka paani kai meter tak upar uchal gaya aur isiliye AVANTIKA ke mooh se RONIT ki cheekh nikal gayi thi....

wahin niche......

RONIT- haash..bhala ho V.J ki urja ka,bach gaya....

toh hua ye ki us machli aur RONIT ke beech V.J ki urja thi...wo machli sidhi ussi urja se takrayi aur door jhitak gayi....

RONIT ko toh kuch bhi nahi hua par impact bohot powerful tha jis wajah se dhamaka hua....

RONIT-arre arre,ye saali toh fir se aa rahi hai...

BOOM......BOOMMM....BOMMM........

us machli ne dobara RONIT par humla kiya par natija wahi nikla...V.J ki urja se takrakar wo door jhitak gayi....

isse us machli ko ghussa sa aa gaya....usne lagatar kayi baar V.J ki urja ko todne ki koshish ki par naakamiyab rahi par uske prayason se paani me kayi dhamake hue...

aur un dhamakon ka asar paani ke baahar tak gaya.....bohot zyada maatra me paani bahar uchalne laga jisse dekh AVANTIKA ki tention aur badh gayi....

AVANTIKA ko is baat ki koi tention nahi thi RONIT ko paani ke andar kisi waar se koi nuksaan hoga,usse pata tha ki V.J ki urja ko koi bhed nahi sakta...

usse is baat ki tention thi ki RONIT ke saath kisi prakar ka koi chhal naa ho jaaye.....aur hua bhi wahi........

kuch der tak lagatar attack karne ke baad wo machli ek jagah shaant khadi ho gayi aur RONIT ki taraf dekhne lagi...

wahin jabse us machli ne RONIT par humla kiya tha,tab RONIT ne uske skin se nikalti white light ko dhyan se dekhe jaa raha tha.....

us white light me bhi wahi urja thi jo is waqt RONIT ko ghere hue thi....par us white light ke beech me halki halki black lines bhi thi jisse figure our karte hi RONIT samajh gaya tha ki ye lines actual me kya hain????

ASMODEUS ke khoon se nikalne waali urja jisse V.J ne control kiya tha..RONIT ko ye bhi andaza ho chuka tha ki ho naa ho,is machli ne V.J ki urja ko nigal liya hai...

par V.J ki urja ke sparsh se hi isse mar jaana chahiye tha par ye zinda hai aur wo bhi ek naye aur vikraal roop dhaaran kar..

aur ye sab sambhav ho paaya hai ussi negetive energy ki wajah se jo V.J ki urja ko lapete hue thi..us energy ne us machli ko naa sirf jeevit rakha balki usse expand kar shaktishaali bhi bana diya......

pata nahi kyun par RONIT ko feel ho raha tha ki ho naa ho,issi machli se usse aur AVANTIKA ko koi clue milega.....

RONIT ye sab soch hi raha tha ki tabhi.....

ANJALI.........

paani ke andar hone ke baawajud RONIT us paani ko rok nahi paaya jo is waqt uski aankhon se nikal rahe the....

dil me ek tez dard ko jhelte hue RONIT apne saamne ke nazaare ko dekh raha tha......

darasal baat ye thi ki jis jagah wo machli khadi thi,is waqt us jagah ANJALI khadi thi....

ANJALI.....RONIT ki mohobbat......uski zindagi jisse mout ne gale laga liya tha....par is waqt wahi ANJALI jo ki behad khubsoorat dikh rahi thi,RONIT se kuch door uske saamne khadi thi.....

safed roshni se nahayi hui ANJALI RONIT ki taraf dekhe jaa rahi thi....ANJALI ne apna haath aage kiya maano RONIT ko apne paas bula rahi ho.....

RONIT bhi kisi anjaani taakat se vashibhoot sa hokar ANJALi ki taraf tair pada par tabhi......

ANJALI.......................

ek baar firse RONIT ke mooh se ye awaaz nikli par is baar RONIT ki awaaz me khushi nahi dard tha,ghussa tha.....

reason.....wo SHARK nooma machli jo ki gaayab ho chuki thi,wo firse prakat ho chuki thi....aur is waqt wo ANJALI ke charon taraf ghum rahi thi...

thik ussi tarah se jaise ek SHARK apne shikar ko apne jabdon me jakadne se pehle uske chaaron taraf ghumti hai...

ANJALI- mujhe bachalo RONIT......mai firse tumse juda nahi hona chahti..mai marna nahi chahti RONIT.....please mujhe bacha lo....

ANJALI ki guhaar sunkar RONIT ka ghussa badh gaya..wo tezi se aage badha par isse pehle ki wo ANJALI ya us SHARK ke paas pahunchta.......

RONIT ke sharir ko ek jhatka laga aur wo rook gaya....usne phir koshish ki par naakamiyab raha...usse aisa lag raha tha ki uske saamne koi adrishya diwar ho jo usse aage badhne se rok rahi ho....

ANJALI- ye V.J ki urja hai RONIT jo tumhe aage badhne se,apni mohobbat ko bachane se rok rahi hai...mujh tak pahunchne ke liye tumhe is V.J ki urja ko khud se alag karna hoga.....

RONIT- par mai ye karunga kaise???

ANJALI- dil se,apni puri iccha se is urja ko thukra do....ye tumhe chhod kar chali jaayegi...fir tum mujh tak pahunch mujhe bacha sakte ho aur uske baad sirf hum honge aur hamara pyar hoga....

AHHHH........

ANJU...........

ANJALI ke haathon se khoon nikal raha tha jisse usse bohot zyada dard ho raha tha..toh hua ye ki ANJALI ki baat khatm hote hi us SHARK numa machli ne ANJALI ke haathon me apne daath gada diye par bas ek second ke liye...

aisa hote hi ANJALI ek haathon se khoon nikalne laga aur uske mooh se cheekh nikal gayi....

wahin RONIT ANJALI ke baaton ke baare me soch raha tha..wo soch raha tha ki kya usse V.J ki urja ka tyag karna chahiye ki tabhi uske kaano me ANJALI ki cheekh gunji..

aur jab usne is cheekh ki wajah dekhi toh uska dimag ghum gaya..usne soch liya ki wo V.J ki urja ka tyag kar dega...

RONIT apni aakhen band kar V.J ki urja ko jaane ke liye kehne hi waala tha ki....

ANJALI-jaldi karo RONIT....V.J ke wajah se hi hum dono alag hue the...aur aaj bhi wahi hamare beech diwaar ban raha hai..is diwar ko girakar apni anju ko bacha lo RONIT.....

RONIT apni aakhen band kar V.J ki urja ka tyag karne hi waala tha ki itne me uske kaano me ANJALI ki baat gunji....

aur ANJALI ki baat sunkar RONIT ki aankhen ek jhatke me khul gayi....

RONIT ek baat ache se jaanta tha ki kuch bhi ho jaaye,ANJALI V.J ke baare me kabhi kuch galat nahi bol sakti....

aur is soch ke RONIT ke dimag me ubharte hi usse AVANTIKA ki kahi gayi baat yaad aayi....

ASMODEUS KI SHAKTIYAN TUMHARA SIDHE TAUR PAR KUCH NAHI BIGAD PAAYENGI..PAR WO CHUP BHI NAHI BAITHENGI.....ISILIYE APNA DIMAG KHULA RAKHNA......

RONIT man me- oye teri ki...matlab ye sab jhooth hai.......

RONIT ne saamne dekha jahan ANJALI chilla chilla kar RONI000t se V.J ki urja ka tyag karne ki request kar rahi thi...

RONIT- tum meri ANJALI nahi ho sakti....tum ASMODEUS ki maaya ho....mai V.J ki urja ka tyag nahi karunga.....

NAHI.............

yahan RONIT ki baat khatm hui wahan ANJALI ki cheekh gunj gayi aur aisa hote hi ANJALI roshni me tabdil ho uske aas paas ghumte SHARK ke andar sama gayi

ANJALI ke khudme samate hi us SHARK ke body se ek baar fir vibrations nikle aur wo dugni tezi se RONIT ki taraf lapki....

par ab RONIT ne is khel ko khatm karne ka soch liya tha....

jaise hi wo SHARK RONIT ke kareeb pahunchi,RONIT ne apni ankhen band kar V.J ki urja ko SHARK ko lapetne ke liye nivedan kiya aur agle hi pal......

uuaaannmmmm.........

SHARK ke mooh se ajeeb ajeeb awaazen aane lagi...is waqt SHARK ki puri body ko V.J ki urja ne khudme lapet liya tha aur dheere dheere wo urja SHARK par kasne lagi thi jis wajah se SHARK ko taklif hone lagi aur wo awaazen karne lagi.....

kuch der tak aisa chalta raha par fir achanak......

BOOM..............

is baar ka dhamaka pehle se zyada impactful tha par V.J ki urja ne us dhamake ke impact ko observe kar liya jisse RONIT ko koi nuksaan nahi hua......

par phir bhi dhamake ki wajah se RONIT ne apni aakhen band kar li thi...thodi der baad jab RONIT ne apni aakhen kholi tab.....

RONIT- ab ye kya bala hai?????paas jaakar dekhta hun......

jahan kuch der pehle wo SHARK V.J ki urja ke lapete me aakar tadap raha tha,ab us jagah par ek roshni jagmaga rahi thi....

aur jaise hi RONIT us roshni ke paas gaya,usse ek naya jhatka laga....wo roshni darasal ek paani ke bulbule se aa rahi thi..par RONIT ke shock hone ka reason wo paani ka bulbula nahi balki us bulbule ke andar ki chiz thi....

darasal us paani ke bulbule ke andar kuch likha hua tha....aur jab RONIT ne us likhawat ko gaur se dekha tob usse jhatka laga...

us bulbule ke andar likha tha AVANTIKA.....

par RONIT ne zyada nahi socha..aur us bulbule ke neeche apna haath rakha...

RONIT ko ye dekhkar ek baar fir shock laga ki wo bulbula uske haathon me chipak sa gaya tha maano wo khud aisa chahta ho....

us paani ke bulbule ko apne hatheli ke upar rakhe rakhe RONIT upar ki taraf tairne laga...

wahin RIVER ke side khadi AVANTIKA kabhi paani ki taraf dekhti toh kabhi apne haathon me bandhi ghadi ki taraf..

RONIT ne usse kaha tha ki wo
aadhe ghante tak apni saansen rok sakta hai aur aadha ghanta khatm hone me kuch hi minutes baaki the...

har guzarte pal ke saath uski bechaini badhti chali jaa rahi thi...AVANTIKA ne apni aakhen band ki aur RONIT ki salamati ki dua maangi..

pray karne ke baad jaise hi AVANTIKA ne apni aakhen kholi.......

uski khushi ka thikana nahi raha...usse paani ke upar RONIT ka chehre dikhayi de gaya..is waqt RONIT zor zor se haanf apni saanson ko dusrust karne me laga hua tha...

AVANTIKA ne man hi man GOD ko thanks kaha..apni khushi ke beech uski nazar RONIT ke right hand ki hatheli ki taraf gayi jisse RONIT halka uthaye hue tha..

uski hatheli me jo bhi chiz thi usse halki halki roshni nikal rahi thi jisse AVANTIKA ki nazaron ne bhi dekh liya tha...

us chamakti cheez ko dekh AVANTIKA ko yakin ho gaya ki ho naa ho ye wahi cheez hai jisse usse V.J ke thik hone ka clue milega..

aur is baat ke zehen me uthte hi AVANTIKA ki khushi ka thikana nahi raha.....wo besabri se RONIT ki taraf dekhne lagi jo is waqt apne right hand ko hakla hawa me utha apne left haath se tairte hue uski taraf aa raha tha....

aur kuch hi der me RONIT RIVER ke tath ke paas pahunch chuka tha jiski gehrayi bas uske ghutno tak thi....

jahan RONIT chalta hua AVANTIKA ki taraf aane laga wahin AVANTIKA jigyasa bhari aakhon se RONIT ke hatheli ke upar us jagmati chiz ko dekh rahi thi..

aur jaise hi RONIT AVANTIKA ke kareeb pahuncha.......

paani ka wo bulbula jo ab tak RONIT ke hatheli ke upar tha,wo hawa me udta hua AVANTIKA ke saamne rook gaya...

aisa hone par AVANTIKA ko bhi RONIT ki hi tarah shock laga aur reason bhi same tha...

AVANTIKA ko us chamakte paani ke bulbule ke andar apna naam likha hua dikha...

wo sawal bhari nazare liye RONIT ki taraf dekhne lagi....

RONIT- mujhe mat dekh yaar..mujhe iske baare me kuch idea nahi hai...tune jaise kaha tha maine waisa kiya aur uska result ye nikla...

ye bulbula jiske andar tera naam hai....

AVANTIKA- par ye tujhe mila kahan??aur wahan andar hua kya tha???yahan baahar paani me kuch dhamake bhi hue the....

fir RONIT ne jo bhi wahan paani ke neeche hua,wo sab AVANTIKA ko bataya jisse sunkar AVANTIKA ko zyada shock nahi laga kyunki usse andaza tha ki aisa hi kuch hoga....

khair,RONIT ki saari baat sunane ke baad AVANTIKA ki nazar wapas uske saamne hawa me rook us paani ke bulbule par theher gayi..

wo us bulbule ko dhyan se dekh samajhne ki koshish kar hi rahi thi ki.....

RONIT-AVNI...tera haath dekh....

RONIT ki baat sun jaise hi AVANTIKA ki nazar apne right hand par gayi toh usse ek jhatka laga...

reason,uske haath se bhi waise hi roshni nikal rahi thi jaise us paani ke bulbule se nikal rahi thi....

kuch der tak apne haathon ko confusion ke saath dekhne ke baad achanak AVANTIKA ke dimag ki batti jali aur uske mooh se nikla....

AVANTIKA- BHAVISHYAWAANI........

AVANTIKA ke mooh se bhavishwaani sunkar ek pal ke liye RONIT bhi chownka par fir usse ISLA ke FOUNTAIN ke andar AVANTIKA ko mile bhavishwaani ke baare me yaad aaya jiske baare me AVANTIKA usse bata chuki thi....

wahin AVANTIKA apne haath me ubharte roshni waali jagah ko sehlate sehlate sochne lagi ki aage kya kiya jaaye.....

ek baar firse uski nazar us paani ke bulbule ki taraf chali gayi jsike andar ussika naam likha hua tha....

kuch sochkar AVANTIKA ne apna left haath aage kiya..aisa karte hi wo paani ka bulbula AVANTIKA ki hatheli ke upar aa gaya...

AVANTIKA apne hatheli ko apne right hand ke kareeb lekar aayi jahan se roshni nikal rahi thi....

jaise jaise wo paani ka bulbula aur uska right hand paas aa rahe the,AVANTIKA ko aisa lag raha tha maano dono ek dusre ko kisi chumbak ki tarah kheench rahe hon...

aur jaise hi AVANTIKA ki left hatheli uske right hand ko touch hui......

AVANTIKA ke sharir ko ek tez jhatka laga..reason.....paani ka wo bulbula jo uske left hatheli par tha,wo uske right hand ko chute hi fath gaya..us bulbule ke andar paani se hi AVANTIKA ka naam likha hua tha...

bulbule ke fathte hi wo paani AVANTIKA ke right hand par gir gaya.....aur aisa hote hi AVANTIKA ko jhatka laga par uske age hi pal......

AVANTIKA ke haath ki roshni aur badh gayi aur dekhte hi dekhte wo roshni baahar aane lagi...

baahar aate hi us roshni ne dobara ussi charre ka roop le liye jaisa AVANTIKA ke haath me samane se pehle tha....

bas fark sirf itna tha ki is baar jo charra uske saamne tha,wo paani se bana hua tha...

wo roshni ka charra hawa me uth gaya aur ek jagah jaakar rook gaya par wo apni jagah par gol gol ghum raha tha........

RONIT ko toh kuch samajh nahi aaya par AVANTIKA samajh gayi thi ki BHAVISHYAWAANI ka waqt aa gaya hai.......

wahin kuch der tak apni jagah par ghumne ke baad achanak wo paani se bhara roshni ka charra ruk gaya aur agle hi pal uske andar se ek unchi bhaari bharkam awaaz gunji......

BHAVISHWAANI...............

mere sparsh se rakht ki
jakad DHEELI HOGI....

par sampoorn upchaar
us paani se hoga,

jisme mohobbat me nikli
namkeen paani MILI HOGI....

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V...J........
 
AB TAK AAPNE PADHA KI RONIT MERCIA RIVER KE ANDAR SE CLUE LAANE ME SAFAL HO JAATA HAI AUR WO CLUE AUR KUCH NAHI BALKI EK BHAVISHWAANI HAI....
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-97

PLANET- GLUTO

PLACE- PALACE HALL

KAHAN HO VIKRAM?????ITNA SAMAY BEET GAYA,KYA TUMHE AB TAK HUMARI TAKLIF MEHSOOS NAHI HUI ....???

aaj SHAILA ko apne hi mahal me daasi bane pure ek saal ho gaye the....in ek saal me usne GOD aur VIKRAM ko din raat yaad kiya tha...

uski dua me uski salamati nahi,balki AKSHAANT aur uske grah ke logon ki bhalayi ki guhaar hoti thi......

ek varsh tak dil hi dil me prarthana karne ke baad aaj SHAILA chilla chilla ka apni vyatha bol rahi thi......

SHAILA- is zillat bhari zindagi se toh mout hi behtar hai..par mera durbhaagya ki mai mar bhi nahi sakti....

agar maine aatmahatya kar li toh wo dusht ladki iska badla meri praja se legi....wo AKSHAANT ko bhi nahi bakshegi jo abhi bhi kitne kasht me hai....

ye kaisi vidambana hai ki mere pyar ke mere aankhon ke saamne kasht me hote hue bhi mai usse bachana toh chhod chuu tak nahi sakti.....

mai ye toh nahi jaanti ki tum abhi tak hume bachane kyun nahi aaye,shayad hamari hi tarah tum bhi kisi mushkil me ho,kintu har baadha ko paar kar tumhe hume bachane aana hi hoga VIKRAM.......

aisi vikat paristhithi me tum hamse mooh nahi mod sakte.....mai har din tumhe pukarungi VIKRAM....

ek naa ek din toh meri guhaar,meri awaaz,meri tadap tumhe sunayi degi....

ITNA SAMAY NIKALNE KE PASHCHAAT BHI TUMHE UMMID HAI KI WO TUMHE BACHANE AAYEGA.....!!!!

ye awaaz SHAILA ke piche se aayi thi....wo jaanti thi ki ye awaaz kiski hai par SHAILA piche nahi palti...usne waise hi baithe hue apni baat kahi......

SHAILA- ummid par toh duniya kaayam hai BHUVIKA......fir mai toh usse ummid lagaye baithi hun jiska dusra naam hi ummid hai.....

ab tak BHUVIKA chalte hue SHAILA ke saamne aa gayi thi.....

BHUVIKA- RAANI se noukraani ban gayi,par aaj bhi tere awaaz ki akad nahi gayi....haan!!!

BHUVIKA ki baat sun SHAILA ke chehre par ek smile aa gayi.....

SHAILA- jab bhaade ki shaktiyon ke gumaan me tu apne aap ko mahashaktishali samajhne ka bhram paal ghamand kar sakti hai,toh maine toh apni saari shaktiyan kadi mehnet se haasil ki hain..

aur ussi mehnet ke fal swaroop mujhe GLUTO ki RANI banaya gaya tha....ghamand toh hoga naa.....

AHHH............AHHHH............

ye dard bhari karah SHAILA ke mooh se nahi balki AKSHAANT ke mooh se nikal rahi thi....jisse sunkar SHAILA ka muskurata hua chehra gum me badal gaya...

toh hua ye ki SHAILA ki baat sunkar BHUVIKA ko aaya ghussa,aur har baar ki tarah BHUVIKA ne SHAILA ke jism ke badle uske dil par waar karna sahi samjha..matlab AKSHAANT par.....

jo ki is waqt thik waise hi hawa me akda hua khada tha jaisa BHUVIKA usse 1 saal pehle chhod kar gayi thi....

BHUVIKA ne apna haath aage kiya...uske aisa karte hi AKSHAANT ki maans peshiyon me khichaav aane laga jisse usse dard hua....

apne premi ke dard ko dekh SHAILA ke chehre me jo parivartan aaya tha usse BHUVIKA ko bohot accha laga....

BHUVIKA- ye mat bhulna ki teri hasi ko rone me badalna mujhe aata hai....dobara mere aage adab se baat karna warna tere priyatam ka haal aur bura kar dungi......

SHAILA asahaya si sir neeche kar baithi thi....usse apni majburi par bohot krodh aa raha tha...wo khudko kos hi rahi thi ki.....

SHAILA ke sharir ko ek jhatka laga...usse is jhatke ka matlab samajh nahi aaya par najaane kyun par achanak usse apne andar ek sheetalta,ek sukoon mehsoos hone lagi thi....

ye wahi waqt tha doston jab AVANTIKA ke saamne BHAVISHWAANI ne khudko khola tha....

darasal baat ye thi ki yudh prashikshan sikhate waqt SHAILA aur baaki ke saare logon ko VIKRAM ne khudse jod liya tha....

par ASMODEUS ke rakht ke prabhav me aane ke baad VIKRAM ka sabhi se connection toot gaya tha.....

par BHAVISHYAWANI ke urja ki wajah se jo ki asal me LORD OF ANGELS ki hi urja thi,ek pal ke liye wo connection wapas SHAILA se jud gaya.....

aur issi wajah se SHAILA ka man halka sa ho gaya tha....SHAILA ko ab bhi apne andar aaye parivartan ka asli matlab samajh nahi aaya tha par najaane kyun usse lag raha tha ki hona ho,ye sab VIKRAM ki wajah se hi hua hai....

aur ye khayal aate hi SHAILA ki goom ho chuki muskurahat wapas aa gayi...

is waqt SHAILA ka chehra neeche tha,isiliye BHUVIKA ko wo muskurahat nahi dikhi...

kuch waqt tak SHAILA ko dekhne ke paschat BHUVIKA gayab ho gayi..uske gaayab hote hi SHAILA ka khushal chehra upar utha....

SHAILA- nadi kitna bhi bada ho jaaye,samandar ke saamne uski koi aukaad nahi....aakhir me usse samandar me milna hi hota hai....

BHUVIKA tera bhi teri behen ki tarah VIKRAM naam ke samandar se milne ka waqt sameep hai....

PLANET- ISLA/WARRIORS WORLD

PLACE- GRAH SETU

EK BAAT BATAO PUTRI.....JAB SE HUM SAB IS GRAH SETU ME FASE HAIN,HUM ME SE AISA KOI NAHI HAI JISKE MAN ME HAMARE BHAVISHYA KE LIYE SAWAL NA UTHA HO.....

SAMAY HI ITNA BEET CHUKA HAI...NA VIKRAM KHUD AAYE AUR NAA HI UNKI KOI KHABAR....AISE ME MAN ME NAKARATMAK VICHAR KA AANA AAM BAAT HAI...

KINTU TUMHARE MUKH KA TEJ,TUMHARA VISHWAS AB BHI PURNATAH KAAYAM HAI....

KYA TUMHE EK SHAN KE LIYE BHI AISA NAHI LAGA KI SHAYAD VIKRAM HUME AZAAD KARNE KE LIYE NAHI AANE WAALE....????

apne pitah ki baat sunkar ALESENDRA muskura di.....

waise KING SOLOMON ki baat kuch hadh tak sahi hi thi.....itna lambe samay tak ek hi jagah fase rehne se kisi ke man me bhi aashanka paida hona laazmi si baat hai...

aisa me lagatar ummid ka diya jalaye har waqt chehre par muskaan liye rehna bohot badi baat hoti hai....

aisi shraddha bohot kam logon me hoti hai jo ALESENDRA me thi.....

ALESENDRA- jab saans lete waqt is baat par shak nahi rehta ki agle pal saans le paayenge ya nahi toh is baat par kaise shak kiya jaa sakta hai ki zindagi bachane waala hume bachane aayega ya nahi....

zindagi dena ISHWAR ka kaam hai aur us zindagi ki raksha karne ka daayitv uske putra ka....VIKRAM par sandeh karna ISHWAR par sandeh karne jaisa hai pitaji....

KING SOLOMON aur unke baaju me unki biwi khadi hokar ALESENDRA ki baatein ya fir ye kahun ki ek abedhya kille ki tarah uske bharose ko sun khush ho gaye.....

KING SOLOMON- tumhare aatmavishwaas se bhari baaton ko sunkar humare man me panap raha sandeh ka baadal bhi chhat gaya putri....

QUEEN ASHLEY- haan putri..bhale hi VIKRAM ko aane me kitni hi der kyun naa ho,par ab hum pure vishwas ke saath unke aagman ki pratiskha karenge.....

apne pitha aur maa ki baat sunkar ALESENDRA ke chehre par muskurahat aa gayi...

ALESENDRA ki nazaren yunhi ghumte ghumte DEFENDER ki taraf gayi aur DEFENDER ko dekh ALESENDRA ke maathe par sawalon ke bal aa gaye....

wo chalte hue DEFENDER ki paas pahnch gayi...

is waqt DEFENDER ki aakhen band thi par unke chehre par muskaan thi....issi muskaan ko dekh ALESENDRA DEFENDER ke paas aayi thi taaki wo is muskurahat ka kaaran jaan sake....!!!!!

DEFENDER ko bhi is baat ka ehsaas ho chuka tha ki koi unke paas khada hai isiliye unhone apni aakhen khol di...apne saamne ALESENDRA ko dekh DEFENDER ki smile aur badh gayi..

reason...dhyan se bahar aakar wo ALESENDRA ko hi bulane waale the par usse pehle hi ALESENDRA unke saamne thi....

DEFENDER- mai tumhe hi bulane wala tha putri.....acha hua ki tum swayam mere paas aa gayi.....

ALESENDRA- aadesh den DEFENDER????

DEFENDER- mujhe is GRAH SETU se baahar jaana hoga.......

DEFENDER ki baat sunkar ALESENDRA chownki....

ALESENDRA- kya baahar ka khatra samapt ho gaya???

DEFENDER- nahi....par mera jaana awashayak hai.....

ALESENDRA DEFENDER se unke is faisle ka kaaran jaanana chahti thi kintu fir bhi wo chup rahi...

par DEFENDER ALESENDRA ke man me umad rahe sawaalon se bhali bhaati parichit the...

DEFENDER- pichle baar jab mere chehre par khushi aur dukh dono ke bhaav aa jaa rahe teh,aur jab tumne mujhse iska kaaran pucha tha toh maine kya uttar diya tha???

ALESENDRA- yahi ki VIKRAM ke saath kuch chhal hua hai jisse unki LORD OF ANGELS ki urja unse door ho gayi hai issi wajah se aap dukhi the aur khush isliye the kyunki wo urja ab AVANTIKA ke andar moujud hai aur surakshit hai....

DEFENDER- hmm...aur aaj bhi mere chehre par aaye khushi ke bhaav ko dekh kar hi tum mere saamne ho taaki iska kaaran jaan sako...haina???

ALESENDRA- ji DEFENDER.....

fir DEFENDER ne ALESENDRA ko apne khush hone ka raaz bataya aur ye bhi bataya ki wo kyun GRAH SETU se baahar jaa rahe hain....

ALESENDRA- DEFENDER ki baat sunkar ALESENDRA khush bhi hui aur thodi chintit bhi.....

ALESENDRA- ye toh bohot khushi ke baat hai par jo haalaat hain,kya unme aapka baahar jaana uchit hai....

DEFENDER-nishchint raho putri..mujhe kuch nahi hoga...aur waise bhi mera baahar jaana awashayak hai.....

tum bas is baat ka khayal rakhna ki meri anupastithi se yahan koi chintit naa ho..apne maata pitha aur LORD CRUSEDAR se bas itna kehna ki mai kisi aawashayak kaarya se baahar gaya hun.....

ALESENDRA- jaisa aap kahen DEFENDER.....

DEFENDER GRAH SETU ke pravesh dwaar ke saamne khade ho gaye...DEFENDER ke pravesh dwar ke saamne pahunchte hi ek second ke liye pravesh dwar khul gaya...

aisa hote hi DEFENDER turant baahar aa gaye....DEFENDER ke baahar aate hi wo pravesh dwar band ho gaya....

aaj ek varsh pashchaat DEFENDER ISLA ko dekh rahe the...is waqt ISLA andhere me dooba hua tha....

aur iska kaaran tha ki pure ISLA ko aur WARRIORS WORLD ko BEELZEBUB aur BHUVIKA ne apne kaale jaadu ke madad se baandh diya tha...

jis wajah se surya ki sakaratmak shakti ISLA aur WARRIORS WORLD me nahi pad paa rahi thi....

DEFENDER ISLA ko dekh hi rahe the ki.......

DEFENDER se kuch hi door unke saamne ek zor ki bijli kadki aur agle hi pal us bijli ke beech me se ek kaala saaya baahar aaya...

par us kaale saaye ko dekhkar DEFENDER ke chehre par koi expression nahi aaye maano wo jaante the ki aisa kuch hone waala hai...

wo kaala saaya DEFENDER se kuch kadam door aakar rook gaya...

KAALA SAAYA- maine ummid nahi ki thi ki tum apne bill se baahar aane ka saahas dikhaoge....

DEFENDER- maine bhi ummid nahi ki thi ki ASMODEUS ne tumhe yahan ka chowkidaar niyukt kiya hoga BEELZEBUB.....

DEFENDER ki baat sunkar BEELZEBUB ke chehre par krodh ki silwaten doud gayi....

BEELZEBUB- dekh raha hun ki ek varsh tak kaayaron ki tarah chhupe rehne ke baad bhi tumhare zubaan ko zung nahi laga hai....

ummid karta hun ki tumhari zuban ki hi tarah tumhari shaktiyan bhi thik thaak chalengi kyunki aise hi tumhe maarne me mujhe maza nahi aayega....

DEFENDER- mera kaam mere grah ke logon ki salamati hai BEELZEBUB.aur mujhse hi unke houslen jude hue hain....

unki salamati aur ummid ke liye mujhe bhi chupna pada....aur rahi baat meri shaktiyon ki toh aazma kar dekh lo.....

VISPURATI VIBJUTI

VIBRATE POWER

DEFENDER ne bina samay gawayen apna pehla SPELL bol diya....

DEFENDER ke SPELL bolte hi BEELZEBUB ke chaaron taraf hawa ke tez aur behad shaktishali vibrations hone lage...

ye VIBRATIONS itne strong the ki BEELZEBUB ke pair ladkhada gaye...kuch pal ke liye BEELZEBUB ko apni shaaririk shaktiyan kamzor si padti hui mehsoos huin...

BEELZEBUB ne apni aakhen band ki aur apni aantrik urja ko mehsoos karne laga..aisa karte hi BEELZEBUB ki kamzori khatm hone lagi aur jab aisa hua........

ANUVARTITA

REVERT

BEELZEBUB ke SPELL bolte hi uske sharir se dher saari kaali shaktiyan ek pressure ke saath nikli aur sidhe jaakar hawa me ho rahe vibrations se takrayin......

aur jaise hi aisa hua,hawa ki vibrations khatm ho gayin......

BEELZEBUB ne bhale hi DEFENDER ke SPELL ko kaat diya ho par DEFENDER ke bole gaye SPELL ke impact ko dekhkar wo hairan tha....

har SPELL ki taakat usse bolne waale ke upar hoti hai...SPELL ki taakat se hi usse bolne waale ki takat ka andaza ho jaata hai...

BEELZEBUB ko ummid nahi thi ki DEFENDER itna shaktishali hoga.....

DEFENDER- bohot acche BEELZEBUB.....dum toh hai tumme par tumhare pitah waali baat nahi hai...wo sochne me itna samay vyarth nahi karta.....

BEELZEBUB- mere pitah jaisi baat is bramhaand me kisi ki nahi hai..tumhare VIKRAM me hi nahi.....

DEFENDER- sahi waqt aane do,tumhari ye galat fehmi bhi door ho jaayegi bacche....

BEELZEBUB- wo waqt jab aayega tab aayega,par afsos tum us waqt ko dekhne ke liye jivit nahi bachoge....

DEFENDER- meri zindagi ki ghadiyan khatm karne ka dum tujhme nahi hai BEELZEBUB...chaahe toh koshish karke dekh le.....

MAAYA JAKDAM

MAGIC CLENCH

BEELZEBUB ke SPELL bolte hi DEFENDER ko ek adrishya taakat ne jakad liya......aur aisa hote dekh BEELZEBUB ke chehre par ek muskaan naach gayi....

BEELZEBUB- ab kya karega DEFENDER..ab mai aaram se tera sir tere dhad se alag kar dunga aur tu chatpane ke alawa aur kuch nahi kar paayega...

BEELZEBUB ki baat ka DEFENDER ne koi jawab nahi diya..DEFENDER ne bas apni aankhen band ki aur.....

PARIVARJITA

DEVOID

DEFENDER ke SPELL bolte hi wo adrishya taakat jisne unhe jakad rakha tha,wo hat gayi...

jahan free hote hi DEFENDER ne apne haath ko jhatka wahin unhe apne SPELL ko itni asaani se kaatatha dekh BEELZEBUB shocked ho gaya.....

BEELZEBUB ke hairani se bhare chehre ko dekh kar DEFENDER ke chehre par muskaan aa gayi.....

DEFENDER- tumhe kya laga ki bas tum hi SPELLS ko kaatna jaante ho...????

DEFENDER ki baat sunkar BEELZEBUB ko ghussa aa gaya....

BEELZEBUB- ab bas..bohot hua khel....ab tujhe marna padega....

BEELZEBUB ne apni aakhen band ki aur apni saari shaktiyon ko apne dono haathon me laane laga...

BEELZEBUB ke aisa karne se mousam aur kharab hone laga....abhi tak har taraf halka halka andhera tha,par ab mousam aur dark hone laga tha...

DEFENDER bhi samajh gaye ki BEELZEBUB apni puri shakti se unpar waar karne wala hai aur agar aisa ho gaya toh wo bach nahi paayenge......

isse pehle ki BEELZEBUB apna SPELL uccharit kare,DEFENDER ko apni safety ke liye kuch na kuch karna tha isiliye.....

PARMESHWAR KAWACHAM PRAKATAM

GODS BARRIER APPEAR

SAMPOORN VINASHAM

COMPLETE DISRUCTION

jaise hi DEFENDER ne SPELL bola uske agle hi pal BEELZEBUB ne bhi napna SPELL uchharit kar diya.....

BEELZEBUB ke SPELL bolte hi uske haathon se dher saari maatra me kaali rays nikli aur ek zordar garjana karte hue DEFENDER ki taraf badhi.....

aur jaise hi wo kaali rays DEFENDER ke kareeb pahunchi........

BOOMMMMM........

ek tez dhamaka hua..is dhamake ka impact itna zyada tha koi BEELZEBUB ke sharir ko bhi ek tez jhakta laga aur wo niche gir gaya....

jahan DEFENDER khade the,is waqt wahan kuch bhi nahi dikh raha tha kyunki wahan dhul hi dhul faila hua tha....

kuch der baad jab dhul chatta toh wahan ka nazara clear hua aur saamne ke nazaare ko dekh BEELZEBUB ke chehre par smile aa gayi...

reason....DEFENDER ka sharir neeche zamin par pada hua tha....antim baar DEFENDER ko dekhne ki icha liye BEELZEBUB chalte hue unke kareeb pahuncha par jaise hi wo DEFENDER ke paas aaya uski aankhen hairat se faile gayi.....

reason.....DEFENDER zinda the aur is waqt dheere dheere khade ho rahe the..

darasal DEFENDER BEELZEBUB ki SPELL ki wajah se nahi gire the balki khudke kahe gaye SPELL ki wajah se gire the...

DEFENDER ne jis SPELL ko bola tha us SPELL ko bolne aur istemal karne ki shamata sirf GODS MESEENGER ko thi..

par kyunki VIKRAM ne DEFENDER ko shaktiyan pradan ki thi isiliye DEFENDER bhi is SPELL ko bol sakte the par uske impact ko wo puri taraf jhel nahi paaye aur SPELL ki wajah se unke sharir se nikli urja se aayi kamzori ki wajah se wo gir gaye....

VIKRAM ki wajah se wo ye SPELL ka successfully use toh kar gaye the par is SPELL ka unke upar ek side effect bhi hua tha....

aur wo ye ki ab jis kawach se wo chaaron taraf se ghire hue the,ab wo chahkar bhi usse nikal nahi sakte the..ab ye kawach unke liye ek kism ka jail ho gaya tha....

is sach se DEFENDER bhi awgat the iske baawajud unhone iska uchharan kiya tha....

DEFENDER ab khade ho chuke the par ab bhi unke chehre par kamzori saaf jhalak rahi thi.BEELZEBUB jo ki unke saamne khada tha wo ab bhi aankh faade DEFENDER ko dekh raha tha....

jab DEFENDER ki nazar BEELZEBUB par gayi toh wo hans pade....

DEFENDER- aise kya dekh raha hai BEELZEBUB..mai tere SPELL ki wajah se niche nahi gira tha balki tere spell ko kaatne ke liye bole gaye apne SPELL ki urja se gira tha....

BEELZEBUB- asambhav.....

DEFENDER- asambhav!!!haan asambhav toh hai aur jaanta hai kya???tera is kawach ko bhedna......chaahe toh koshish karke dekh le....

BEELZEBUB ne DEFENDER ke kawach ko todne ke liye ek ke baad kayi saare SPELLS bole par koi faayeda nahi hua..

kawach waisa ka waisa hi intact raha.....jaisa ki maine bataya tha ki SPELLS ka asar uske bolne waale ke shaktiyon ke upar nirbhar karta hai,isiliye SPELLS usse bolne waale ki urja nichod usse thaka bhi dete hain...

back to back itne saare SPELLS bolne ki wajah se BEELZEBUB ke upar bhi thakan hone lagi thi.....

DEFENDER-maine kaha tha naa BEELZEBUB,is kawach ko todna tumhare liye asambhav hai....wapas loutne ke siwa tumhare paas aur koi chaara nahi hai.....

BEELZEBUB ne apni aankhen band ki aur apne right hand ko apne dil ke upar rakha..

BEELZEBUB ke sharir se black energy ki ek moti ray nikalkar DEFENDER ke chaaron taraf faile gayi.....

chaaron taraf failne ke baad wo kaali rays gayab ho gayi.....

BEELZEBUB- abhi toh mai jaa raha hun DEFENDER..par mai wapas aaunga...

mere sharir ki suchna shakti ne tumhare kawach ko charon taraf se ghera hua hai...jis lamhe tum apne kawach se baahar aaye,meri in rays se mujhe iski suchna mil jaayegi aur ussi shan mai tumhare saamne prakat ho jaaunga....

aur jis din hamara dobara aamna saamna hua,wo din tumhare zindagi ka aakhri din hoga...

BEELZEBUB ne apni baat bohot krodh me kahi thi par uski baat sunkar DEFENDER ke chehre par smile aa gayi.....

DEFENDER- mai tumse ek waada karta hun BEELZEBUB....aur wo ye ki jis din bhi humara dobara saamna hua,us din mai tumhare waar ka jawab tak nahi dunga par iske baawajud tum mera kuch nahi bigad paaoge...

mujhe maarna toh door agar tumne mujhe neeche tak gira diya toh mai tumhara gulaam ban jaaunga....

BEELZEBUB ne ek baar ghur kar DEFENDER ko dekha aur gaayab ho gaya.....

DEFENDER- ISLA aur WARRIORS WORLD aapki pratiksha kar rahe hain..jaldi aaiyega LORD OF ANGELS.......

PLANET- EARTH

PLACE- SECRILLA

TUJHE KUCH SAMAJH ME AAYA KYA???KYUNKI MERE TOH SIR KE UPAR SE GAYA....

AVANTIKA- no clue yaar...mere bhi sir ke upar se nikal gaya.....

bhavishwani puri hote hi wo paani se bana charra wapas AVANTIKA ke haath me chala gaya tha....

AVANTIKA aur RONIT kaafi der tak us bhavishwaani ki baat ya fir ye kahun ki uski di gayi paheli ko samajhne ki koshish karte rahe par sab bekar.....

unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha....

AVANTIKA- filhal ke liye sochna band karte hain...waise bhi aaj ka pura din kaafi stress full raha hai....filhal ghar chalte hain....

RONIT- cool......

RONIT ne ussi jagah ke liye MAGIC DOOR khol diya jahan se wo yahan aane ke liye nikle the...

AVANTIKA aur RONIT DOOR se hote hue us jagah par pahunch gaye...

is waqt shaam ke 7 baj rahe the......

RONIT- kaafi late ho gaya hai..hume ghar jaana chahiye.....

AVANTIKA- haan,chal....

AVANTIKA apni car lekar aayi thi jabki RONIT paidal hi yahan aaya tha.uska ghar paas me hi tha...

garden se bahar aakar jaise hi RONIT ne AVANTIKA ko bye kaha.....

AVANTIKA- chal tujhe chhod deti hun....

RONIT- mai paidal chale jaaunga..mera ghar paas me hi hai.....tu jaa tere ghar waale tention le rahe honge....

AVANTIKA-nahi wo mai ghar par bata kar aayi thi ii raat tak aaungi..aur waise bhi mai abhi apne ghar nahi V.J ke ghar jaa rahi hun.....

RONIT-V.J ke ghar..kyun????

AVANTIKA- kyun matlab???mera sasural hai...mai nahi jaaungi toh aur kaun jaayega....???

AVANTIKA ne sidhe sapat tarike se apni baat kahi par uski baat sunke RONIT ko hasi aa gayi....

RONIT- abhi se sasural.....!!!!!badi besabri hai tujhe....

AVANTIKA-bilkul hai...mera bas chale toh abhi V.J se shaadi kar lun par us khadus ka dimag abhi khiska hua hai...propose karungi toh mana kar dega....

RONIT- aisa....toh ek kaam karte hain,mai aunty aur uncle ko tere aur V.J ke baare me bata deta hun..wo usse mana lenge...

AVANTIKA- bata de..par tujhe pata hai ki abhi V.J ke dimag me short circuit hua hai..kahin teri baaton se bhadak kar tujhe dho naa de......

RONIT- haan yaar,ye baat bhi hai..idea cancel....chal mai bhi tere saath chalta hun..mai bhi V.J se mil lunga....

AVANTIKA aur RONIT AVANTIKA ki car me baith V.J ke ghar ki taraf chal pade....

AVANTIKA V.J ke ghar sirf isiliye nahi jaa rahi thi kyunki usse abhi milne ka man ho raha tha...

uske V.J ke ghar jaane ke piche ek aur kaaran bhi tha...darasal baat ye thi ki jab se AVANTIKA SECRILLA se wapas aayi thi,tabhi se usse uske andar kuch mehsoos ho raha tha...

usse aisa lag raha tha jaise V.J ki urja usse kuch batana chahti hai par wo usse samajh nahi paa rahi hai....

V.J ki urja bhale hi abhi AVANTIKA ke andar thi fir bhi jab jab V.J AVANTIKA ke saamne aata tha tab AVANTIKA ke andar ki urja zyada active ho jaati thi.....

aur AVANTIKA ko kuch na kuch pata chalta tha....exams ke waqt jab V.J aur AVANTIKA ka aamna saamna hua tha tab AVANTIKA ko GRAH SETU aur GLUTO ke baare me pata chal gaya tha.....

agli baar DELHI me mulakat ke baad jab AVANTIKA wapas MUMBAI aayi thi tab bhi V.J se milne ke baad urja ke active hone asar bacha hua tha....

AVANTIKA ko pura bharosa tha ki jo baat V.J ki urja AVANTIKA ko batana chahti hai,wo V.J ke saamne aate hi usse clear ho jaayega.....

ye sab baatein sochte sochte AVANTIKA aur ki car V.J ke ghar me entry kar gayi......

car park kar jaise hi AVANTIKA car se baahar aayi........

AVANTIKA- oh shit.......

AVANTIKA ke mooh se nikle ye shabd sunkar RONIT aakhon me sawaal liye uski taraf dekhne laga.......

AVANTIKA- gaadi me baitho...batati hun....

AVANTIKA turant wapas gaadi me baith gayi..RONIT bhi confused si shakal liye wapas apni seat par baith AVANTIKA ki taraf dekhne laga.....

AVANTIKA ne turant car ghuma li.....

darasal baat ye thi ki V.J ki shakti aseem thi...V.J jahan bhi hota tha,uske aas paas ki sab jagah uski shakti ke daayre me aati thi....

aur issi baat ka asar abhi abhi hua.....jaise hi AVANTIKA ne apne kadam gaadis e baahar rakhe,V.J ki urja jo ki AVANTIKA ke andar thi,wo V.J ki shaktiyon ke contact me aa gayi..

aisa hote hi AVANTIKA ko us baat ke baare me pata chal gaya jis baat ko V.J ki urja kuch der se AVANTIKA ko batana chahti thi....

RONIT- batayegi bhi ki kya hua aur hum kahan jaa rahe hain.....???

AVANTIKA ne RONIT ko V.J ki urja aur us urja ka usse sanket dene ke baare me bata diya..AVANTIKA ne usse bataya ki wo V.J ke ghar kyun jaa rahi thi...

aur ye bhi ki V.J ke ghar ke lawn me kadam rakhte hi usse us sanket ki wajah pata chal gayi......

RONIT- par V.J ki urja tujhe kya batana chahti thi,wo toh bata????

AVANTIKA- kuch der rook.sab pata chal jaayega....

AVANTIKA apni car ko tez bhagate hue aage badhi aur ussi garden ke paas aakar rooki jahan se wo dono SECRILLA gaye the aur wapas aaye the....

RONIT- hum toh wahin aa gaye jahan kuch der pehle the...

par AVANTIKA ne RONIT ki baat ke jawab me bas itna kaha ki....

AVANTIKA- chal andar..sab pata chal jaayega....

AVANTIKA aur RONIT MAGIC DOOR se purane garden me aaye the jo ki hamesha band hi rehta tha par is waqt wo dono naye garden me aaye the jahan abhi kaafi log the...

shaam ke waqt is garden me logon ka sair karna aam baat thi....

AVANTIKA bechaini se ek aur aage badhti chali gayi....

RONIT bhi uske piche piche chup chaap chal raha tha....

AVANTIKA khudse hi chal toh rahi thi par actual me V.J ki urja usse guide si kar rahi thi....

kuch der tak chalne ke baad ek bench ke paas aakar AVANTIKA rook gayi.....

AVANTIKA ke saamne bench par ek ladki baithi hui thi jiske aankhon me is waqt aansu the.....wo aankhon me aansu aur dar liye idhar udhar dekh rahi thi....

aur jaise hi us ladki ki nazar AVANTIKA par padi.....uski dar bhari aankhon me ek chamak aa gayi..wo bench se uth khadi huyi....

wahin RONIT ki nazar abhi tak us ladki par nahi pade the..wo AVANTIKA ke paas aaya aur...

RONIT-ab batayegi bhi ki hum yahan kyun aaye hain???

AVANTIKA ane kuch kaha nahi bas saamne bench ki taraf ishara kar diya...

AVANTIKA ki ungli ka picha kar jaise hi RONIT ki nazar saamne gayi,ek pal ke liye RONIT ko pehle toh jhatka laga par agle hi pal uski aankhon me ghussa tairne laga....

AVANTIKA aur wo ladki toh ek tak ek dusre ko dekhne me busy the isiliye un dono ka RONIT ki taraf dhyan nahi tha...

RONIT-subah toh tu bach gayi par is baar mai tujhe nahi chhodunga BHUVIKA......

RONIT ki baat AVANTIKA ke kaano se takrayi par isse pehle ki wo usse rokti,RONIT tezi se aage badha aur......

ummmm.....ummmmmm.....ummmmm.......

RONIT ne us ladki ke gale ko pakad usse hawa me utha diya....wo ladki dard se chatpatane lagi thi....

AVANATIKA turant RONIT ke paas pahunchi....

AVANTIKA- uska gala chhodo RONIT....wo mar jaayegi..

Par RONIT ne jaise AVANTIKA ki baat suni hi nahi..uske haath ki pakad ab bhi sakht hi thi...qahin us ladki ki aankhen bhi ab band hone lagi thi...

AVANTIKA- tumhe ANJALI ki kasam hai....usse chhodo RONIT.

AVANTIKA ke mooh se ANJALI ki kasam sunte hi RONIT ki haath ki pakad dheeli ho gayi...

Us ladki ke gale ko chhod wo avishwas bhari nazaron se AVANTIKA ko dekh raha tha....uske chehre par abhi bhi bohot ghussa dikh raha tha...

wahin wo ladki zor zor se saans lete hue khus ko theek karne ki koshish kar rahi thi...

AVANTIKA ne RONIT ka baazu pakda aur usse thoda door le gayi....

Fir AVANTIKA ne kuch kaha ya fir ye kahun ki ek aisa khulasa kiya jisse sunkar RONIT ke chehre par jo ghusse ke expressions the wo tyrant second me gayab ho gaye...

usse AVANTIKA ki baat par yakin hi nahi ho raha tha...AVANTIKA bhi jaanti thi ki uski kahi baat par yakin karna RONIT ke liye kya kisike liye bhi bohot mushkil hai...

AVANTIKA- ye sach hai RONIT...aur iske baare me isse bhi nahi pata.....

YE LADKI BHUVIKA NAHI BALKI USKI BEHEN

ANALIA HAI

AAJ KE LIYE ITNA HAI......

AAPKA APNA V..J.......
 
AB TAK AAPNE PADHA KI BEELZEBUB SE LADHAYI KE WAQT DEFENDER KHUDKO EK KAWACH NUMA KAID ME FASA LETE HAIN WAHIN BHUVIKA ANALIA KO BHVIKA KI BEHEN BATAKAR EK BOHOT BADA KHULASA KARTI HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-98

PLANET- SHADOW WORLD

PLACE-OPEN GROUND

HEY PARMESHWAR....HUM TOH SABHI ASHA KHO CHUKE THE..KINTU JIS DIN AAPKE DOOTH ST.SEBASTIAN YAHAN AAYE AUR HUME BATAYA KI BOHOT JALD HUME BACHANE KE LIYE HAMARA UDDHARKARTA AANE WAALA HAI,TOH HUMARI KHUSHI KA THIKANA NAA RAHA....

HUMARI MARTI HUI UMMID FIR SE JIVIT HO UTHI....HUM DIL SE HUMARE SWAMI KA INTAZAR KAR RAHE THE KINTU........

USSE PEHLE TUM SABKI MULAKAT MUJHSE HO GAYI.....

is awaaz ko sun saare SHADOWS jo ki kisi zamane me SAMAY SANCHALOKON ke naam se jaane jaate the palte......

aur apne saamne khade shaksh ko dekh kar un sab ke chehre utar gaye......

UNKNOWN- arre mujhe dekh tum sabka chehra kyun utar gaya....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?lagta hai mujhe dekh tum sab ko khushi nahi hui...!!!!!

1ST SHADOW- andhere ko dekh ujale ko kabhi khushi nahi hoti BHUVIKA.......

ji haan doston,SHADOWS ke saamne khadi shakhs aur koi nahi balki BHUVIKA hai.....

ab uska yahan kya kaam,ye toh aap sab ko aage padhkar hi pata chalega....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

BHUVIKA- MAHA RANI BHUVIKA....apni RANI ka naam tamiz se lo samjhe.....warna aisi haalat karungi ki tumhari aatma ke saath saath YELUPTUS me dafan tumhari praanhin sharir tak tadap uthegi......

2ND SHADOW- jis dard ki tum baat kar rahi ho wo tum hume pehle bhi de chuki ho.....hum aise taklifon se nahi darte BHUVIKA.....

1ST SHADOW- aur tum jis taakat ke dum par itna ghamand kar rahi hi ho naa,agar hum apne waastavik roop me hote toh tumhari taakat aur tumhare ghamand ko shan bhar me samapt kar dete....

hum SAMAY SANCHALAK hain....humari shaktiyan khud GOD se hain....tumhare jaise bhaade ki shaktiyon se aur wo bhi kaali shaktiyan jinka ek na ek din sarvanash hona nishchit hai,hum nahi darte.....

aur..........

AHHH.....AHHHH..........

isse aage wo SHADOW kuch keh nahi paaye...SHADOWS ki baat sunkar BHUVIKA ko ghussa aa gaya tha.....

is waqt saare SHADOWS ek group me khade the....aur isse pehle ki SHADOW kuch kahe,BHUVIKA ne saamne khade un dono SHADOWS ko jo uska apmaan kar rahe the,unpar apni kaali shaktiyon se nirmit kaaton bhari rays chhod di....

waise toh SHADOW ka koi sharir nahi tha par in rays me aatmaon ko taklif pahunchane ki shakti thi.....

un rays dono SHADOWS ko charon taraf se gher liya aur un rays se nikalte dhardhar kaanton ne SHADOWS ko chubhona shuru kiya jis wajah se un dono ke mooh se dard bhari aah nilkalne lagi...

wo rays kuch samay tak un SHADOWS ko taklif pahunchati rahi aur jaise hi dard ki atyadhikta ki wajah se wo dono SHADOW neeche giri,BHUVIKA ne apni chhodi ray wapas kheench li.....

baaki ke saare SHADOWS apne chehre par bebasi liye apne dono saathiyon ko dekh rahe the....

BHUVIKA- aaj ke liye itna kaafi hai ya abhi bhi man nahi bhara!!!!!

wo dono SHADOWS jo is waqt zameen par pade apne dard ko zabt karne ki koshish kar rahe the,BHUVIKA ki baat sun uski taraf ek fiki muskaan liye dekhne lage.....

1ST SHADOW- tumhe lagta hai ki is dard se hume koi fark padega....

AAHHHH....

AHHHHH....

AHHHHH.....

is baar ye dard bhari cheekh har SHADOW ke mooh se nikli thi....reason...ussi agni ki wajah se jo in sab ke neeche prajwalit hui thi...

ye wahi agni ya fir ye kahun ki wahi saza hai jo saare SAMAY SANCHALAK khudko dete aa rahe hain....

jab tak wo agni un sab ke neeche prajwalit hoti rahi,saare SHADOWS dard se cheekhte rahe wahin unke saamne khadi BHUVIKA aankhon me aascharya liye ye sab dekh rahi thi..

ye pehli baar nahi tha jab BHUVIKA ye sab hote hue dekh rahi thi...jab se ASMODEUS ne usse SHADOW world ki RANI banaya hai ya fir ye kahun ki usse SHADOW WORLD me jaane ki permission di hai ( iske piche ek khaas reason hai jo baad me pata chalega )...

tab se hi wo SHADOWS ko issi agni dwara tadapte hue dekh rahi hai...par jab bhi wo is drishya ko dekhti hai toh aashcharya me padh jaati hai...

BHUVIKA ko ye baat pata thi ki agni se jalne ka faisla khud SHADOWS ka hai par wo ye jaanana chahti thi ki khud ke saath aisa karne ke piche SHADOWS ka kya kaaran ho sakta hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

jahan BHUVIKA apni soch me goom thi wahin agni ab bujh chuki thi aur saare SHADOWS ki pida bhi kuch hadh tak kam ho chuki thi....aur jaise hi unki peeda kam hui....

1ST SHADOW- abhi abhi jis agni dwara tumne hume jalte hue dekha hai,us agni ko hum sab ne khud prajwalit kiya hai...

hum khud hi us agni dwara diye pida ko saharsh jhelte aa rahe hain wo bhi tab se jab tumhara janm tak nahi hua tha....

aisa kasht jiski tum kalpana bhi nahi kar sakti aur wo bhi har din har pahar lagatar....

tumhe lagta hai ki jo aisi pida ko swayam khud par laakar jhelte hain unhe tumhare dwara saza se koi fark padega..kabhi nahi....

BHUVIKA- bhale fark pade naa pade..par tum logon ko kasht dekar mujhe bada sukoon milta hai....

par agar tum mujhe ye bata do ki tum sab ne khudke liye aisi saza kyun chuni toh mere dwara tum sab ko pida dene se bach sakte ho...

2ND SHADOW- aur ye jaankar tumhe kya laabh?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BHUVIKA- laabh naa sahi par kamsekam meri utsukta toh mitegi....

1ST SHADOW- waise toh humari khud ko di gayi saza waali baat koi bohot bada raaz nahi hai kintu agar isse tumhe shaanti milti hai toh hum kuch bhi nahi batane waale....

tumhe pahunchne waale kisi bhi tarah ke sukoon ke hum k kaaran nahi ban sakte....

SHADOWS ki baat sunkar BHUVIKA ko firse ghussa aa gaya...

BHUVIKA- toh fir dard ke ek anthhin ehsaas aur safar ke liye taiyar ho jaao....

apni baat keh BHUVIKA ne mantra uccharan karne ke liye apne dono haath failaye hi the ki....

JITNA DARD DENA HAI DE DENA...PAR USSE PEHLE APNI JIGYASA SHAANT KAR LO....

ye awaaz BHUVIKA ke piche se aayi thi...aur ye awaaz aur kisi ki nahi balki BEELZEBUB ki thi...

BHUVIKA- tumhe inki khud ko dene waali saza ke baare me kaisa pata???YELUPTUS me inke baare me jaankari dete waqt toh tumne is baare me kuch nahi bataya tha....

BEELZEBUB- wo isiliye kyunki us waqt mujhe khud is baare me gyat nahi tha....COURIOUS se loutne ke baad jab mai wapas FATHER ke paas gaya tha tab maine unse is baare me pucha tha...

aur tab pehli baar FATHER ne is raaz ke upar se parda hataya tha....us waqt tumhe FATHER ne pehli baar yahan bheja tha isiliye tumhe iske baare me pata nahi hai....

BHUVIKA- hmm....toh fir batao ki in sab ne khud ke liye ye saza kyun chuni???

BEELZEBUB- ye sach hai ki jis aag se ye tadapte hain,ye inki khud ke liye nirdharit ek saza hai kintu ye sirf aadha sach hai...

asal baat kuch aur hai.....

BEELZEBUB ne ye baat SAMAY SANCHALAKON ki taraf dekh kar kahi thi..BEELZEBUB ki baat sunkar SHADOWS ko shock laga......

wo bhi jaanana chahte the ki BEELZEBUB kya jaanta hai..
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BHUVIKA- aadha sach matlab?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BEELZEBUB- aadha sach isiliye kyunki jis aag se ye khudko jalate aa rahe hain,ussi aag ki wajah se inka astitv bhi zinda hai....

jahan BHUVIKA ko BEELZEBUB ki baat ka matlab samajh me nahi aaya wahin SHADOWS ke shock ka level aur badh gaya...

unhone ye nahi socha tha ki unke raaz ko ASMODEUS jaanta hoga.....

BHUVIKA- mujhe tumhari koi baat samajh me nahi aa rahi....

BEELZEBUB- samjhata hun...darasal jo aag in SHADOWS ke neeche prajwalit hoti hai,wo koi aam aag nahi hai balki jeeven bachane waali agni hai.....

tumhe ye toh pata hi hai ki in sab ka sharir YELUPTUS ki zamin ke andar dafan hai....kintu sharir kitna hi mazboot kyun naa ho,par bina aatma ke uska samooh patan annivaarya hai....

inhe apne sharir se alag hue sadiyan beet chuki hain..uske baawajud inka sharir ab bhi YELUPTUS ke andar surakshit hai..aur iska kaaran wahi agni hai jo in sab ke neeche prajwalit hoti hai....

wo agni asal me ek dhaage jaisa hai jo inke sharir ko inki aatma se jode rakhta hai...jab in sab ki aatma inke sharir ke bheetar thi,tab bhi ye agni inke andar thi....

par sharir aur aatma ke saath me hone ke kaaran wo agni inhe dard nahi pahunchati thi balki ussi agni se inki urja nirantar kaayam rehti thi....

par ab jab aisa nahi hai,toh yahi agni inhe dard pahunchati hai....

BHUVIKA- toh ye inki saza kaise hui???dard me hi sahi,in sab ne khud ko vardan hi diya hai naa..kyunki aisa karne se inke sharir bache hue hain???

BEELZEBUB- haan ye satya hai ki issi agni se inke sharir bache hue hain,kintu issi agni ki wajah se ye moksh prapt nahi kar paa rahe hain....

aur iska kaaran ye hai ki ye jaante hain ki inke samooh naash se PARIVARTAK bhi nasht ho jaayega aur aisa hote hi bramhaand ke saare grahon ki chaal aur disha badal jaayegi..

yahi nahi har grah ki gati aur waqt par bhi prabhav padega..agar ek vaakya me kahun toh inke marte hi pura bramhaand bhi khatm ho jaayega....

is agni ki wajah se ye mar toh nahi paa rahe hain par saath saath jee bhi nahi paa rahe hain...

toh hua na inka dard inka avishaap bhi aur vardan bhi....

BHUVIKA- kya baat hai???agar tum mujhe ye sab nahi bataate toh aisa bhi kuch ho sakta hai iski mai kalpana bhi nahi kar paati....

jaise hi BEELZEBUB ki baat khatm hui,itni der se shaant khade SHADOWS me se ek ne apna mooh khola......

1ST SHADOW- tumhare kathan se pata chalta hai ki ASMODEUS ko is sab ke baare me pehle se gyaat tha....fir usne kuch kyun nahi kiya???

BEELZEBUB-unhe bhala is sab se kya matlab???unhone jo chaha wo haasil kiya...(parivartak).....

ab tum sab khudko bachao ya maaro isse unhe koi nuksaan nahi...is bramhaand ke rehne naa rehne se tumhe fark padta hai,mere FATHER ko nahi.....

BHUVIKA- waise yahan se nikalne ke baad mai tumhare paas hi aane waali thi....

ye jaanane ke liye ki DEFENDER ko tum kaise khatm nahi kar paaye.....ye toh tumhare liye bohot aasaan hona chahiye tha....

BEELZEBUB- nahi BHUVIKA....pichle baar hum dono me se kisika bhi DEFENDER se zyada der tak mukabala nahi hua tha....

uske gaayab hone par humne ye socha ki wo humse dar gaya hai kintu asal me us waqt usse apne dono grahon ko bachana tha isiliye wo gaayab ho gaya tha...

humne jitna socha tha DEFENDER usse kayi guna zyada shaktishaali hai....

isiliye hi toh mujhe usse maarne ke liye apna aakhri astr ka istemaal karna pada....

par isse pehle hi usne apne chaahron taraf ek abhedhya kawach bana diya jisse mai tod nahi paaya....

BHUVIKA- hmm.ye sab toh maine bhi dekha tha kintu mujhe ek baat samajh me nahi aayi....

BEELZEBUB- kaun si baat???

BHUVIKA- yahi ki wo grah setu se baahar aaya hi kyun????mere kehne ka arth hai ki isse usse kya laabh hua?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


BEELZEBUB- ye toh mai bhi jaanana chahta hun. Kintu chinta mat karo..maine uske kawach ke charon taraf apni tarange faila di hai..jaise hi wo apne kawach se baahar aaya,mujhe pata chal jaayega aur agle hi pal mai uske saamne pahuch jaaunga.....

aur usse mrityu dene se pehle mai sab jaan lunga......

BHUVIKA- hmm...thik hai....chalo jis kaam se aayi thi wo toh kar lun....

BHUVIKA ki baat sunkar BEELZEBUB has diya......BEEZEBUB ko haste dekh BHUVIKA bhi has di...

dono hi hawa me tairte hue aage badhe..ek jagah pahunch dono rook gaye....jis kaam se BHUVIKA aayi thi wo kar dono gayab ho gaye......

PLANET-EARTH

PLACE- GARDEN

ANALIA,TUM THIK HO NAA.....

ANALIA jo ab bhi lambi lambi saansen le rahi thi,wo is waqt AVANTIKA ke kisi sawaal ka jawab dene ki haalat me nahi thi....

AVANTIKA bhi is baat ko samajh rahi thi isiliye usne aage kuch bhi nahi pucha..wo bas ANALIA ke peeth ko sehlane lagi....

wahin un dono se thodi door khada RONIT toh apne hi khayalon me goom tha....usse samajh nahi aa raha tha ki wo kaise react kare....

RONIT is waqt ye soch raha tha ki usse apna dukh bohot bada lagta tha...usse lagta tha ki GOD ne uske saath hi itni zyadati kyun ki....

par ab wo is baat ko samajh raha tha ki GOD ne uske saath koi zyadati nahi ki..infact GOD kabhi bhi apne bacchon ke saath kuch galat karne ka nahi soch sakte...

par is universe me GOD ke alawa bhi ek power source hai jo pure universe ko apne iccha anusar chalana chahti hai...

aur jab koi uske hisab se nahi chalta aur uske faislon ke khilaf jaata hai toh wo usse saza deti hai....

RONIT ek tak ANALIA ko dekhe jaa raha tha....wo soch raha tha ki is maasoom ko toh ye tak maalum nahi ki iske saath kaisa khel khela gaya hai.....

aur wo bhi iske janm lene se pehle..RONIT ke kaano me ab bhi AVANTIKA ki wo baatein gunj rahi thi jo usne ANALIA ke baare me usse batayi thi....

AVANTIKA ne jab RONIT ko bataya ki unke saamne khadi ladki BHUVIKA nahi balki uski judwa behen hai toh RONIT ko yakin nahi hua...

uske baad AVANTIKA ne RONIT ko ANALIA aur BHUVIKA ki puri asliyat batayi jisse sunkar RONIT ka dimag ghum gaya....

aapko yaad hoga doston ki COURIOUS ke logon ko shrap mukt karte hi V.J ki shaktiyan wapas aa gayi thi....

aur jaise hi V.J ki shaktiyan wapas aayin,usse do cheezen pata chali..

ek toh ASMODEUS ka wo shadyantra jiski wajah se uska wajood usse alag hone waala tha aur iske saath saath V.J ko ek aur baat pata chali thi jisse jaankar wo ASMODEUS ke dimag ki taarif karne se khud ko rok nahi paaya tha...

wo baat yahi thi doston.....V.J ko pata chal gaya tha ki BHUVIKA ki asli sagi behen NISHKALIKA nahi balki ANALIA hai...aur apne astitv ko khone se pehle usne is baare me AVANTIKA ko bhi bata diya tha....

ab aapke zehen me sawal uth sakta hai ye kaise ho sakta hai bhala,kahan COURIOUS aur kahan GLUTO....

uske upar BHUVIKA ka janm ANALIA ke janm ke hazaron saal baad hua tha...aur wo bhi ussi maa ki kokh se jis kokh se NISHKALIKA ne janm liya tha....

fir ANALIA aur BHUVIKA ka behen hona kaise sambhav hai..toh doston maine pehle bhi kaha tha ki jis kisse me ASMODEUS aur VIKRAM shaamil hon wahan kuch bhi ho sakta hai..

par isse zyada mai aapko is baare me filhal nahi bata paaunga. aap sab ko is matter ko samajne ke liye,iski haqiqat se roobaraoo hone ke liye abhi thoda intazar karna padega....

precisely kahun toh wait till the CENTURY UPDATE....

khair,ANALIA ab thik thi..par thik hote hi wo aankhon me dar liye RONIT ko dekh rahi thi...

khudke liye ANALIA ki aankhon me dar dekh RONIT ko accha nahi laga..wo jaanta tha ki ANALIA ek simple si ladki hai jisse anjaane me hi sahi,usne taklif pahuncha di thi...

par RONIT abhi ANALIA ko kuch kehna nahi chahta tha..wo chahta tha ki pehle AVANTIKA ANALIA se baat kar uske dar ko door kare...

AVANTIKA- tumhe darne ki zaroorat nahi hai ANALIA,RONIT tumhe kuch nahi karega....

ANALIA- par unhone humara gal kyun dabaya..???kya humne anjaane me unke saath kuch galat kiya hai....agar kiya hai toh kripiya hume maaf kar dijiye....

ANALIA ki bholi bhaali baat sunkar RONIT ka man glani se bhar gaya....

AVANTIKA- tum kyun maafi maang rahi ho ANALIA....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?tum toh pehli baar yahan aayi ho naa.pehli baar isse mil rahi ho..fir tum bhala kaise iske saath kuch bura kar sakti ho???

ANALIA- haan wo toh hai..par jab ye hamara gala daba rahe the tab ye itne ghusse me the ki hume laga ki shayad anjaane me humse koi galti ho gayi hai...

AVANTIKA aur RONIT dono hi ANALIA ki saadgi bhari baaton ko sunkar soch me pad gaye...

dono soch rahe the ki kitna fark hai dono behno me...ek ke man me sirf badle ki bhaavna hai wo bhi ek galat kaaran ko lekar...

aur dusre ke man me tyag ki,maafi ki bhaavna hai jabki uski koi galti hi nahi hai...

RONIT- mujhe maaf kardo ANALIA......darasal maine tumhe koi aur samajh kar aisa kiya tha?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- aap maafi mat maangiye...hum aapse maafi maangte hain ki hamare chehre ko dekh aap jaise ache insaan ke dil ko taklif pahunchi....

RONIT- abhi kuch de pehle hi maine tumhara gala dabaya tha..fir tum kaise mujhe ek accha insaan keh sakti ho???

ANALIA- kyunki aap inke saath hain....

ANALIA ne AVANTIKA ki taraf ishara kar apni baat kahi...

RONIT- toh???

ANALIA- inki aur humare kashtharta (V.J) ki wajah se hi toh humara grah itne saalon ki tadap se aazad ho paaya hai....

hume bachane ke liye in dono ko swayam BHAGWAN ne chuna tha....aur aap inke saath hain iska arth ye hai ki aap inke mitr hain...

jisse bhagwan ne hamare uddhar ke liye chuna ho,aise manushya ka mitr toh acha hi hoga naa....

AVANTIKA- tumne bilkul thik kaha ANALIA...ye mere mitr hain..par tumhare kashtharta ke ye sabse ghanisht mitr hain....

ye jaankar ki RONIT VIKRAM ka best friend hai ANALIA bohot khush ho gayi....

AVANTIKA-ek baat batao ANALIA,tum yahan kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


itne der se AVANTIKA ke dimag me jo sawaal chal raha tha,wo usne ANALIA se pucha???

ANALIA- sabse pehle toh hum aapka dhanyawaad karna chahte hain....hum jaante hain ki aap ne jo humare liye kiya uske badle me maatr ek dhanyawaad kaafi nahi hai,kintu iske alawa humare paas aapo dene ke liye kuch nahi hai....

ye bol ANALIA ne AVANTIKA ke saamne apne haath jod liye....par ANALIA ke aisa karte hi AVANTIKA ne jhat se uska haath pakad wapas neeche kar diya...

AVANTIKA- tumne hi toh abhi kaha tha naa ki tumhe aur tumhare grah ko bachane ke liye hume bhagwan ne chuna tha....

toh fir dhanyawaad kaisa???hum wahi kar rahe the jisse karne ke liye hume bhagwan ne aadesh diya tha....ab ye sab chhodo aur jo maine tumse pucha hai uska jawab do..tum yahan kaise aayi?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- wo darasal aap dono ne hamari itni badi madad ki aur fir bina humse mile wapas chale gaye..hume apna aabhar prakat karne ka mouka bhi nahi diya..isiliye aap dono se milkar aapko dhanyawaad karne ke liye hum yahan chale aaye....

ANALIA ki baaton aur un baaton ko kehte waqt uske chehre ko AVANTIKA bade gaur se dekh rahi thi....

usse andaza ho gaya tha ki ANALIA ne adhuri baat batayi hai..baaki ki baat jo ki asal baat hai wo usse chhupa gayi hai....

par AVANTIKA ne is baat ko filhal ke liye taal diya....

AVANTIKA- itni badi prithvi me tumhe ye kaise pata chala ki hum tumhe yahin par milenge?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT- haan,ye toh mai bhi jaanana chahta hun....

ANALIA- wo darasal jis COURIS vriksh par ASMODEUS ne kaala jaadu kiya tha,jiske phal ko khaakar LORD OF ANGELS ne us vriksh ke andar apni safed urja chhodi aur usse wapas pavitr kiya,ussi vriksh ki madad se hum yahan pahunch paaye hain....

AVANTIKA- mai abhi bhi nahi samjhi ki tum kya keh rahi ho?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- darasal baat ye hai ki apni jis safed urja se LORD OF ANGELS ne COURIS vriksh ko shraapmukt kiya tha,wahi urja ab COURIS vrikhsh ke andar bhi behti hai....

jo ki asal me LORD OF ANGELS ki urja hai...aur issi wajah se wo vriksh bhi LORD OF ANGELS se jud chuka hai......

shayad ye LORD ne isiliye kiya tha taaki dobara koi chaahe bhi toh hamare grah ke upar koi kaala jaadu na kar paaye aur naa hi kisi anya tarike se dushit kar paaye...

aapke hamare grah se jaane ke kuch der baad tak ussi vriksh ke phal ko khaane se hum sab COURIS waasi LORD OF ANGELS ko mehsoos kar paa rahe the...

hum sabhi unka dhanyawaad karne hetu unse milne aane waale the kintu aisa karna thik nahi hota...

hum apne grah ko jo ki najaane kitne sadiyon ke baad wapas pehle jaisa shraap mukt hua tha,usse chhodna nahi chahte the...

aur waise bhi,jaise humari urja ka shroth COURIS viriksh me phalne waala phal hai,ussi tarah hamare grah ke urja ka shroth bhi hum hain....

hum sab ke ek saath jaane se hamare saath saath hamari urja bhi hamare grah se chali jaati jiska parinaam acha nahi hota....

isiliye sabne ye faisla kiya ki un sab ki taraf se mai yahan aaun aur LORD OF ANGELS se sabki taraf se dhanyawaad kahun...

RONIT- tum hi kyun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

mera matlab tumse bade bhi toh kayi log wahan honge naa????unme se bhi toh koi na koi yahan aa sakta tha naa???

ANALIA-haan aa sakte the..par mai isiliye aayi kyunki mai hi wo thi jisse sapne me dekh LORD ko hamare grah ke kasht ke baare me pata chala tha....

AVANTIKA- sawaal toh ab bhi wahi hai..ki tum yahan pahunchi kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA-LORD tak pahunchne ka raasta bhi COURIS vriksh ka phal tha....kyunki usse khaate hi hum kuch palon ke liye LORD ki urja se jud jaate the....

aur ussi dauran apni aantarik shakti ki madad se mai us jagah par pahunch sakti thi jis jagah par mujhe LORD ki urja mehsoos hoti thi.....

fir jab maine tay kiya ki aaj mai yana LORD ke paas aaungi aur issi soch ko sach banane hetu jab maine COURIN phal ka sevan kiya....

pata nahi kyun par mujhe LORD OF ANGELS ki urja mehsoos hona band ho gayi....maine jab ye baat sabko batayi toh un sab ne bhi PHAL ka sewan kiya par koi natija nahi nikla...

kisi ko bhi LORD OF ANGELS ki urja mehsoos nahi ho paa rahi thi...ab hum kuch nahi kar sakte the..
hum sab bohot nirash ho gaye the.....

nirasha ke saath saath hume ye dar bhi satane laga tha ki kahin kuch anisht toh nahi ho gaya....par LORD OF ANGELS ko bhala kya taklif ho sakti hai ye sochkar hum khud ko mana lete the.....

aise hi din beetane lage....hum sab har din is ummid ke saath ki aaj LORD ki urja ko hum mehsoos kar paayenge,hum PHAL ka sewan karte par koi faayda nahi hota....

kintu kuch din pashchat hume wapas LORD ki urja mehsoos hone lagi.hum sab behad khush ho gaye kintu ye khushi bhi kuch hi palon ke liye thi..

kaaran....hum LORD ki urja mehsoos toh kar paa rahe the kintu sirf shan bhar ke liye...

aur itna samay kaafi nahi tha.....LORD tak pahunchne ke liye hume unse aur adhik der tak judne ki awashaykta thi...

hum lagatar COURIN PHAL ka sewan karne lage is ummid ke saath ki hume thodi zyada der tak LORD ki urja mehsoos ho taaki hum us urja ke kendr ko khud se jodkar un tak pahunch saken par aisa hua nahi...

kintu aaj itne samay ke baad hume unki urja thodi zyada der ke liye mehoos hui..aur aisa hote hi humne unki urja ko apne aantarik shakti se jod diya....

par pata nahi kaise LORD ke saamne pahunchne ke bajaaye hum is udyaan me pahunch gaye....

(ANALIA jab yahan pahunchi toh ye wahi time tha jab AVANTIKA aur RONIT yahan se gaayab hokar SECRILLA gaye the)

ANALIA-hume laga ki LORD yahi kahin honge par kaafi der tak dhundne ke baad bhi jab hume wo nahi mile toh hume bohot bura laga..

humne apni saari aantarik shakti yahan aane me laga di thi isiliye ab hum yahan se jaa bhi nahi sakte the....isiliye hum yahan is jagah baith kar kaafi der se ro rahe the...

upar waale se prarthana kar rahe the ki hamari madad kare..humari toh saari aas hi toot gayi thi ki itne me humari nazar aap par padh gayi.....

par tabhi ANALIA ko jaise kuch yaad aaya....

ANALIA- par aap yahan kaise????aur LORD OF ANGELS kahan hain????unhe toh pata chal hi gaya hoga ki COURIOUS se koi yahan aaya hai..bhala unse kuch thodi na chhupta hai....

ANALIA ke sawal par pehle toh AVANTIKA aur RONIT ne ek dusre ki taraf dekha...

dono hi soch rahe the ki ANALIA ko sach batayen yaa nahi.....

sach na batane ki dono ke hi paas do do wajah thi...

pehli ye ki V.J ki condition ke baare me jaankar ANALIA ko dukh pahunchta..

aur dusri ye ki V.J ki condition ke baare me sunkar shayad ANALIA ke mann me ye dar baith jaaye ki jab LORD OF ANGELS hi surakshit nahi hain toh fir unke saath dobara kuch galat hona kaun si badi baat hai..

par in dono soch ke upar ek soch aur thi jo in dono sochon par bhaari thi...

aur wo ye ki ANALIA bina apni parwaah ke apne grah se laakhon light years door prithvi par bas V.J se milne usse thanks kehne aayi hai....

bina is baat ke baare me soche ya fikr kiye ki agar V.J yahan usse naa mila toh shayad aisa koi bhi dusra nahi hai jo usse wapas uske grah me pahuncha paaye....

aur isiliye......

AVANTIKA-filhal V.J nahi aaya hai yahan..aur usse is baat ka abhaas tak nahi hai ki tum yahan aayi ho....

AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA chownki...

ANALIA- par ye kaise mumkin hai..jis tarah se COURIS vriksh ke maadhyam se hum unse jude hue hain,ussi tarah wo bhi toh VRIKSH ke maadhyam se humse jude hue honge naa..

aakhir unhi ki urja hi toh abhi hum saare COURIOUS waasiyon ke andar beh rahi hai...

AVANTIKA- tum sab ke andar LORD OF ANGELS ki urja beh rahi hai ANALIA,VIKRAM ki nahi....

ANALIA- hum samjhe nahi..dono toh ek hi hain naa...!!!!

AVANTIKA- ab nahi....VIKRAM se uski urja alag ho gayi hai..aur ye ussi waqt hua tha jis din se tum sab ko uski urja mehsoos hona band ho gayi thi...

AVANTIKA ki baat ko sunkar ANALIA ko samajh nahi aaya ki wo kaise react kare..wo thagi si AVANTIKA ko dekh rahi thi ya fir ye kahun ki uski baaton ko samajhne ki koshish kar rahi thi....

ANALIA- hume abhi bhi samajh nahi aa raha ki aap kya keh rahi hain...LORD OF ANGELS se unki pehchaan kaise chhin sakti hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


fir AVANTIKA ne shuru se ANALIA ko sab kuch bataya....jaise jaise AVANTIKA saari baat batae jaa rahi thi,ANALIA ke aakhon se aansuon ki dhaar si nikalne lagi thi..

khaas kar ke is baat ko jaankar ki VIKRAM ki ye haalat unhi ko bachane ki wajah se hui hai...

ANALIA soch rahi thi ki naa toh VIKRAM COURIOUS aate,aur naahi unse unki pehchan alag hoti...

ANALIA ke aansuon ko dekhkar AVANTIKA bhi ye samajhne lagi thi ki kahin na kahin ANALIA khudko aur apne planet ko VIKRAM ka gunahgaar maan rahi hai....

AVANTIKA- ANALIA,agar tum ye soch rahi ho ki tum aur tumhare grah ke log VIKRAM ki is haalat ke zimmedar hain toh tum galat ho...

ache logon ko buri shaktiyon se bachana,unki bigdi haalat ko sudharna hi VIKRAM ka farz hai...isiliye hi uska janm hua hai...

aur kabhi kabhi apne farz ko nibhate waqt kuch kurbaniyan deni padti hain..ye kurbaniyan bhi us farz ka hi ek bhaag hai...

toh apne aap ko dosh dena band karo..aur fikr mat karo,bohot jald VIKRAM ko unki pehchaan,unka ohda wapas mil jaayega....

AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA ko thoda chain aaya par tabhi uske man me ek dusre sawaal ne ghar kar liya....

ANALIA- par kuch samay se hum sab unki urja ko mehsoos kar paa rahe the...aur aaj toh kaafi der tak humne unki urja ko mehsoos kiya isiliye toh hum yahan unse milne aa paaye..

agar unki urja unke paas nahi hai toh fir hum kisse mehsoos kar rahe the...

AVANTIKA- tum VIKRAM ke urja ko hi mehsoos kar rahi thi..par wo urja is waqt VIKRAM ke paas nahi balki mere paas hai....

AVANTIKA ki is baat ko sunkar ANALIA buri tarah chownki....

ANALIA- kya!!!!par ye kaise sambhav hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


AVANTIKA- sambhav hai ANALIA..kyunki mai V.J ki shakti hun...

iske baad AVANTIKA ne ANALIA ko apna sach bataya aur ye bhi bataya ki V.J ne kis tarah apni urja ko uske hawale kiya tha...

AVANTIKA ki saari baaton ko sun ANALIA kuch der tak ek tak AVANTIKA ko dekhti rahi...

uske man me kuch chal raha tha jis wajah se uske aankhon me kuch tha jo AVANTIKA pehchaan nahi paa rahi thi....par tabhi....

ANALIA AVANTIKA ke aage jhukti chali gayi....

AVANTIKA- arre ye kya kar rahi ho...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANALIA- chaahe jis bhi roop me ho,par is waqt LORD OF ANGELS ki urja mere saamne hai..mai ussi ko naman kar rahi hun....

AVANTIKA- iski koi zaroorat nahi.....

ye kehkar jaise hi AVANTIKA ne ANALIA ko uthane ke liye uske kandhe ko chhua....

AVANTIKA-OH SHIT........

AVANTIKA ki awaaz kuch tez thi jisse sunkar RONIT bhi chownk gaya...RONIT ko yaad aaya ki kuch der pehle bhi AVANTIKA ne oh shit kaha tha aur uska result ANALIA ke roop me ek bohot bade jhatke ke roop me laga..

aur ek baar firse AVANTIKA ne wahi shabd kahen hai,iska matlab abhi firse ek aur jhatke ki baari hai.....

jahan AVANTIKA ANALIA ko uthane ke baad ek tak usse dekh rahi thi wahin ANALIA bhi AVANTIKA ko dekh rahi thi....

AVANTIKA- ANALIA,sach batao,tum yahan kyun aayi ho????aur agar tumne jhooth kaha toh mai tumhe bina VIKRAM se milaye bina wapas bhej dungi....

is baar AVANTIKA ki awaaz thodi kadak thi.

AVANTIKA ki baat sunkar RONIT chownka par wo chup hi raha..wo jaanta tha ki AVANTIKA bina wajah aise behave nahi karegi...

ANALIA bhi AVANTIKA ki baat aur baat sunkar pehle toh shocked hui par fir uske chehre par dar ke bhaav aa gaye...

AVANTIKA- sach bolne se daro mat.....sach bologi toh mai waada karti hun ki mai kuch nahi kahungi par agar jhooth bola toh mujhse bura koi nahi hoga..

is baar AVANTIKA ki awaaz me aur sakhti thi jisse sunkar ANALIA ka dar aur badh gaya...

par AVANTIKA ke waade ki wajah se usse thoda housla bhi aaya tha aur isiliye.....

ANALIA- HUM VIKRAM SE PREM KARTE HAIN........

AAJ KE LIYE ITNA HI

AAPKA APNA V..J.....
 
AB TAK AAPNE PADHA KI BHUVIKA KO BEELZEBUB SAMAY SANCHALAKON KE KHUD KO DENE WAALI SAZA KA RAAZ BATATA HAI WAHIN ANALIA AVANTIKA AUR RONIT KE SAAMNE YE KHULASA KARTI HAI KI WO VIKRAM SE PYAR KARTI HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-99

PLANET- EARTH

PLACE- GARDEN

WHAT!!!!!!!!

ANALIA ki baat sunkar RONIT itni zor se cheekha ki aas paas ke logon ki nazar bhi uspar chali gayi....

wahin ANALIA ne toh apni baat kehkar sir jhuka liya tha.usne apni dil ki baat keh toh di par ab uska wahi dil aage ke anjaam ke baare me soch kar zor zo se dhadak raha tha...

ab apne pyaar ka confession karna wo bhi us ladke ke liye jiski g.f abhi ussike saamne khadi ho,aur G.F bhi kaisi,jiske andar is bramhaand ke LORD OF ANGELS ki urja tak ko khud me sametne ki shakti ho,toh dar lagna toh laazmni hi hai....

wahin is scene ki mukhya bindu matlab AVANTIKA toh ANALIA ke confession ke baad se hi kisi gehri soch me chali gayi thi..

RONIT ki cheekh toh jaise usne jaise suni hi nahi thi....

kuch der tak apni soch me goom rehne ke baad jab AVANTIKA waastavikta me waapas aayi toh uska dhyan aur nazar ANALIA ki taraf gaya jo is waqt sir jhukaye khadi thi...

AVANTIKA ko ehsaas ho gaya ki uske darane ki wajah se ANALIA ne sach toh bata diya par ab wo ghabra rahi hai....

AVANTIKA jaanti thi ki ANALIA WHITE ENERGY ka ek bohot purana aur respectable shorth hai....

wo us grah se belong karti hai jis grah ki acchayi pure bramhaand ko sakaratmak urja deti hai...isiliye AVANTIKA ko ANALIA ka yun usse darna accha nahi laga....

AVANTIKA- ANALIA,tumhe drane ki zaroorat nahi hai....mai tumse bilkul naaraz hun..infact mai khush hun ki tumne darte hue hi sahi par apne dil ki baat sach sach batadi...

AVANTIKA ki baat sunkar jahan ANALIA ne chain ki saans li wahin RONIT ke liye ye dusra jhatka tha...

usse samajh nahi aaya ki AVANTIKA ANALIA ki baat ko itna casually kaise le rahi hai...aur isiliye.....

RONIT-AVANTIKA......kuch baat karni hai mujhe tumse...ANALIA......tum yahin rooko,hum aate hain....

ab ANALIA kya kehti...usne chupchaap haan me apna sir hila diya wahin AVANTIKA samajh rahi thi ki RONIT usse kya baat karna chahta hai aur usse bhi RONIT se akele me hi ya fir ye kahun ki ANALIA se door jaakar hi baat karna thik laga isiliye wo aur RONIT chalte hue thoda aage nikal gaye....

RONIT- are u out of your mind...tumhari tabiyat toh thik hai naa..ya fir ANALIA ki baat ka jhatka zyada zor se lag gaya tumhe....

ANALIA se kuch door agar RONIT ne dabi hui par stressfull awaaz me AVANTIKA se apne sawaal puche....

par AVANTIKA RONIT ke sawaal par jawab dene ke bajaaye has di...

RONIT- ab toh sure ho gaya hai ki tumhara dimag hil gaya hai....saala ab kya karun,tujhe doctor ke paas bhi nahi lejaa sakta....

tune itni zyada maatra me WHITE ENERGY ka stock rakha hua hai ki kahin uska zara sa bhi impact doctor ko lag gaya toh bechara wahin nipat jaayega....

AVANTIKA- maar khaani hai.....

RONIT- haan ye thik rahega..mai naa tere sir par zor se maarta hun shaayad tab tera dimag wapas kaam karna shuru kar de...

AVANTIKA- tu kya bakwaas kiye jaa raha hai????mera nahi tera dimag thikane par nahi hai....

RONIT- mere dimag ko kuch nahi hua...tera dimag sahi jagah se khisak gaya hai....wahan kya bol rahi thi tu usse........

mai tumse bilkul naaraz hun..infact mai khush hun ki tumne darte hue hi sahi par apne dil ki baat sach sach batadi...

RONIT ne AVANTIKA ki kahi hui baat itna mooh bana banakar kahi jisse dekh AVANTIKA ko hasi aa gayi....

RONIT- lo ab has rahi hai....arre usne kisi random ladke ke liye apni feeling express nahi ki tere boyfriend ke liye ki hai....

uspe bhadakna chhod tu usse itni casual hokar baat kar rahi hai..teri jagah agar ANJU........

ANJALI shabd ke aage bolne se pehle RONIT kuch seconds ke liye chup ho gaya....usse ANJALI ka chehra yaad aa gaya tha jisse usse taklif hui...

AVANTIKA bhi is baat se anjaan nahi thi par wo chup hi rahi...kuch seconds ke halt ke baad apne emotions ko kaabu kar RONIT ne apni baat aage badhayi.....

RONIT-agar teri jagah ANJU hoti aur koi ladki mujhse pyaar karne ki baat kehti toh ANJU us ladki ka mooh tod deti....

usse tab tak maarti jab tak uske dimag se pyar ka bhoot nahi utar jaata...

AVANTIKA- yahi toh aap maat khaa gaye RONIT sir...pyar dil se kiya jaata hai,dimag se nahi..

PYAR SE,WAAR SE,MAAR SE,HAAR SE,
LADHAYI SE,JUDAYI SE,RISHTE ME BEWAFAYI SE.....

in short kisi bhi wajah se pyar khatm nahi hota....aur jo khatm ho jaaye wo pyar nahi hota....

ANJU kisi aisi ladki ko maar kar jo tujhe pyar karti hai,apni frustration toh mita sakti thi,par agar us ladki ke dil me sach me tere liye pyar ki bhaavna hoti,toh ANJU kya GOD bhi us bhawna ko uske dil se nikal nahi paate....

RONIT AVANTIKA ki baat bade dhyan se sun raha tha..bol toh AVANTIKA hi rahi thi,par RONIT ko firse aisa lag raha tha jaise uske saamne uska dost khada hokar apni baat rakh raha hai...

wahi confidence,wahi solidity,wahi tarika..is waqt RONIT ko AVANTIKA aur V.J do nahi balki ek lag rahe the aur isiliye.....

RONIT- aaj kal jab bhi tujhse baat karta hun samajh me nahi aata ki mere saamne tu hi hai ya fir tera roop liye V.J khada hai...

AVANTIKA- mai aur V.J toh ek hi hain...

RONIT- exactly.....aur isiliye toh puch raha hun ki kya tujhe ye jaankar bura nahi laga ki ANALIA bhi V.J se pyar karti hai....

AVANTIKA- tu bachpan se hi ANJU se dil hi dil me pyar karte aaya hai naa....

AVANTIKA ki baat sunkar pehle toh RONIT chownka par fir usse yaad aaya ki V.J ki urja jo ki is waqt AVANTIKA ke enadr hai,uski wajah se AVANTIKA ko V.J aur usse judi uski purani yaadon ke baare me sab kuch pata hoga.....

RONIT- haan.. par usse mere sawal ka kya lena dena....!!!!????

AVANTIKA- lena dena hai....tu pehle ye bata ki jab tujhe ye pata tha ki bachpan me ANJALI ke dil me V.J ke liye feelings thi,ye jaanane ke baad bhi kya tere dil me ANJU ke liye feelings thi...???

RONIT- haan thi....sirf isiliye kyunki ANJALI ke man me mere liye us waqt feelings nahi thi,mai kyun apni feelings........

RONIT apni baat puri karta,usse pehle hi uske dimag me AVANTIKA ke sawaal puchne ka maksad click kar gaya aur isiliye wo bolte bolte rook gaya.....

AVANTIKA- tu kyun apni feelings dabayega...yahi kehna chahta tha naa????

RONIT ne haan me apna sir hilaya..

AVANTIKA- thik waisa hi case abhi bhi toh hai naa...V.J mujhse pyar karta hai,mai usse pyar karti hun...

par iska ye matlab toh nahi hai naa ki kisi third person ke man me hum dono me se kisike liye feelings nahi aa sakti...

ab ANALIA ke man me V.J ke liye feelings hai toh hai...ANALIA hi kyun,najaane kitni hi ladkiyan hongi jinke man me V.J ke liye feelings hongi....

toh kya mai sabse jaakar ladhti rahun..unki feelings hai,wahi deal karen,mujhe kya???

RONIT- aur agar kabhi aisa hua ki V.J ke man me bhi kisi aur ne ghar kar liya toh!!!aise me kya tu comfortable feel kar paayegi...

kya us ladki ko eceept kar paayegi???

AVANTIKA-V.J sirf mera hai RONIT...sirf mera.....hamari jodi beshak GOD ne banayi hai,par agar ab wo khud bhi chaahe toh is jodi ko naa toh tod sakta hai ya fir kisi third person ko beech me laakar twist paida kar sakta hai...

and u know why???kyunki MOHOBBAT khud apne aap me KHUDA hai...jo sirf do logon ke beech panapta hai...

RONIT- aur agar koi teesra beech me aa gaya toh!!!

AVANTIKA- fir wo MOHOBBAT kaha rahi...wo toh HAWAS ho gayi....fir chaahe jaisa bhi explanation do apne point ko proove karne ke liye,wo feeling kuch bhi ho sakti hai par MOHOBBAT nahi ho sakti.....

(ATTITUDE GUYS)

RONIT- wow....kya baat hai....

AVANTIKA- ab chalen..wo bechari kab se akeli khadi hai....

RONIT- haan chal..par yaar ek baat ab bhi samajh nahi aayi???!!!!tune bataya tha ki tum dono bohot kam waqt tak COURIOUS me rahe the...

aur jahan tak mai andaza laga sakta hun,us kam waqt me bhi V.J ne is ladki ke saath personally akele me koi quality time toh bitaya nahi hoga...fir isse V.J se pyar kaise ho gaya????

AVANTIKA- ye toh mai bhi jaanana chahti hun....chal ussise puchte hain.....

jab se wo dono gaye the,ANALIA ki nazar un par hi thi...is waqt bhi wo un dono ko hi dekh rahi thi...

aapas me baat karte hue AVANTIKA aur RONIT ANALIA ke paas pahunch gaye....

ANALIA- aap humse naaraz nahi hain....

AVANTIKA ke saamne aate hi ANALIA ne usse sawal kiya???

AVANTIKA- nahi....

ANALIA- kya hum jaan sakte hain kyun???aap toh LORD se pyar karti hain naa...

RONIT- nahi tum nahi jaan sakti..actually tum jaan toh jaaogi par samajh nahi paaogi..ye aise aise bhaari bharkam logic ke ball fekegi ki samajhne se pehle hi tum out ho jaaogi...

isse pehle ki AVANTIKA ANALIA ko jawab deti RONIT bol pada jisse sunkar jahan AVANTIKA has padi wahin ANALIA ko kuch samajh nahi aaya...

ANALIA- hum samjhe nahi.....

RONIT- samajha bhi den toh bhi samajh nahi paaogi isiliye jaane do...

ANALIA ko RONIT ki baat bhi samajh nahi aayi par fir bhi usne apni mundi haan me hila di....

AVANTIKA- acha ANALIA ye batao ki tumhe VIKRAM se pyar kab hua???mera matlab hai hum toh kuch hi der tak tumhare grah me the aur us waqt bhi VIKRAM ne tumhare saath bilkul waqt nahi bitaya tha fir tumhare man me uske liye itne gehre jasbaat kaise paida hue????

ANALIA- ye toh hum bhi nahi jaante..jab humne pehli baar unhe dekha tabhi se hume unke prati ek baari eehsaas mehsoos hua..jitne waqt tak wo hamare grah me the,shraap ki wajah se hume jo dard hota tha,wo bhi hume mehsoos nahi ho raha tha....

fir jab wo chale gaye toh humare hriday me ek tees si uthi..unke jaane ke kayi dino baad tak bhi jab hum sirf unhi ke baare me sochte rahe tab hume ehsaas hua ki hum unse prem karne lage hain...

hum unse aapko chhenana nahi chahte hain..hum toh bas unse milkar ek baar unhe apne hriday ki baat kehna chahte hain..

AVANTIKA- cheenana!!!!koi mujhse VIKRAM ko nahi chheen sakta ANALIA kyunki VIKRAM se hi mai hun aur mujhse hi VIKRAM hai....

hum dono ka wajud hi ek dusre se milkar pura hota hai..rahi baat tumhare jasbaaton ki toh wo tum beshak VIKRAM se keh sakti ho..

mai tumhe nahi rokungi par abhi nahi..abhi VIKRAM us haalat me nahi hai ki tumhare kya,kisi ke bhi jasbaat ko samajh sake....

ANALIA- kya hum unse mil sakte hain...???

AVANTIKA- haan bilkul....par abhi nahi..abhi raat ho gayi hai..abhi uske ghar jaana thik nahi hoga...

tum ek kaam karo,mere saath mere ghar chalo,kal subah hum VIKRAM se milne uske ghar jaayenge...

AVANTIKA ki baat ANALIA khushi khushi maan gayi....

AVANTIKA- chal fir kal morning 10 baje V.J ke ghar me milte hain....

RONIT- thik hai..aur sun isse V.J ke baare me bata dena..

ANALIA- LORD ke baare me aur kya batana hai..unki urja unse chhin gayi hai,ye toh aap hume bata hi chuki hain....

AVANTIKA- yahan se chalo..batati hun...

RONIT ko bye bol AVANTIKA aur ANALIA garden se baahar nikal car ke paas aa gaye...

AVANTIKA- baitho.....

ANALIA- ye kya vastu hai.....???

ANALIA ne car ki taraf ungli dikhate hue kaha...

AVANTIKA- ye car hai..ek tarike ka waahan...

ANALIA- arre waah..par iska pashu kahan hain....

AVANTIKA- pashu!!!wo kisliye????

ANALIA- isse chalane ke liye....

AVANTIKA- isse chalane ke liye kisi pashu ki zaroorat nahi padti...

ANALIA- fir ye kaise chalta hai????

AVANTIKA- baitho,batati hun....

ANALIA aur AVANTIKA car me baith gaye..AVANTIKA ne car start karke aage badha di...

ANALIA bade jigyasa se car ke har chiz ko chhu chhu kar dekh rahi thi...AVANTIKA ne usse car ke baare me sab kuch bataya jisse sunkar ANALIA shocked ho gayi...

kuch der tak yunhi idhar udhar ki baat karne ke baad ANALIA ko achanak RONIT ki kahi baat yaad aayi...

ANALIA- wo RONITJI kis baare me baat kar rahe the???

AVANTIKA-darasal baat ye hai ki V.J ki urja chhinane ki jo wajah hai uski wajah se V.J ke behaviour mera matlab uske swabhav me badlaav aaya hai..

wo sidhi tarah kisi se baat nahi karta...har baat ka ulta hi jawab deta hai isiliye agar tumhare saath bhi wo aisa bartaav kare toh dil par mat lena.....

ANALIA- wo hamare sankat harta hain...bhala unki baat ka hum bura kaise maan sakte hain.....

AVANTIKA- good then..toh chalo,pehle tumhare liye kuch kapde le lete hain....

ANALIA- kyun hamare kapdon me kya kharabi hai....

AVANTIKA- kharabi kuch nahi hai..bas ye kapde hamari duniya me fit nahi baithte...

darasal ANALIA ne ek white lamba gown ke jaise dress pehna hua tha aur is kapde me usse ghar lejaana AVANTIKA ko unappropriate laga....

isiliye sabse pehle AVANTIKA ANALIA ko lekar ek butique gayi aur ANALIA ke liye kuch dresses kharide...

ANALIA- ye aapne kaise kaise vastra khariden hain hamare liye...hume bilkul pasand nahi aaye....

AVANTIKA- tum yahan ki nahi ho isiliye aisa keh rahi ho..par yahan ke log aise hi kapde pehente hain...

aur jab tak tum yahan ho tab tak tumhe bhi yahan ke logon ki hi tarah kapde pehenane padenge.....

dresses lene ke baad AVANTIKA ne raaste me ANALIA ko bata diya tha ki wo uske ghar me zyada kisise baat naa kare....bas itna bataye ki wo AVANTIKA ke kisi friend ki behen hai jo mumbai ghumne aayi hai.....

AVANTIKA- arre mai toh bhul hi gayi,tum toh subah se yaha ho naa...kuch khaaya bhi nahi hoga tumne....aur tum toh COURIN phal ko chhodkar kuch khaati bhi nahi ho....ab kya karen???

ANALIA- chinta mat kijiye..waise toh hum COURIOUS waasi din me do baar PHAL ka sevan karte hain kintu ek baar PHAL khaane ke baad hum sab ek maah tak bina kuch khaaye reh sakte hain...

AVANTIKA- really...!!!!ek mahine tak nahi khaane se bhi tumhe kuch nahi hoga!!!!

ANALIA- humare sharir ki urja thodi kam ho jaayegi...par ye koi badi baat nahi hai....hum theek rahenge....

AVANTIKA man me- ummid hai ki V.J jaldi theek ho jaaye.....

ANALIA ko dobara apne ghar me kya kehna hai ye samjha kar AVANTIKA usse lekar apne ghar pahunchi...jaisa ki socha tha AVANTIKA ne ANALIA ko intro apne ghar me apne friend ki behen ke roop me bataya...

ANALIA ki language shudh hindi thi jisse sunkar gharwaalon ko pehle toh ajeeb laga par jab AVANTIKA ne bataya ki ANALIA bachpan se hi ayurvedh padh rahi hai aur ussi wajah se uski language itni strong ho gayi hai toh sab normal ho gaye...

SHANAYA bhi bohot jaldi ANALIA se ghul mil gayi....dono chit chat karne me lag gayin...

AVANTIKAS ROOM

SHANAYA- waise babes...tu hai badi beautiful....

ANALIA- BOOTYFULL.arthath.....!!!

ANALIA ke mooh se BOOTYFUL sunkar SHANAYA ke saath saath AVANTIKA bhi has di....

SHANAYA- bootyfull nahi beautiful..matlab khubsoorat.....

ANALIA- ohh..waise sundar toh aap bhi bohot hain..mai toh kahungi ki aap sundarta ki parikashtha hain...

aur ho bhi kyun naa,aap AVANTIKAJI ki behen jo hain.....

SHANAYA- parikashtha as in...???matlab???

AVANTIKA- parikashtha matlab last level...what she means to say is that u have the last level beauty....

SHANAYA- oh really...!!!thank u babes...

AVANTIKA- ek dusre ki taarif ho gayi ho toh so jaayen...kaafi late ho gaya hai...

SHANAYA- all right then...good night girls...

AVANTIKA- good night....

ANALIA- shubhraatri.......

jahan ANALIA aur SHANAYA turant so gaye wahin RONIT apne dost ki aur AVANTIKA apne pyaar ko theek karne ki kuch der tak dua karte rahe aur fir dono ne apni apni aakhen band kar li is baat se anjaan ki kal KAHANI FIRSE GHUMNE WAALI HAI....

PLANET- CROSS WORLD

PLACE-INSIDE CAVE

Seikilos epitaph,
Seikilos epitaph.........

eikon e lithos
eimi tithesi me
Seikilos entha
nemes athanatou
sema polukhronion.

Anou lupou,
inhe zen anaitei
Dionysius of aa

ASMODEUS.....

ASMODEUS......

ASMODEUS.....

BLACK OPOSTLES.......jo ki is waqt ek bade se cube ko jisme se alag alag rang ki roshni nikal rahi thi,usse chaaron taraf se ghere ek ancient language me
is gaana ko zor zor se gaa rahe the..

ya fir ye kahun ki ye saath BLACK OPOSTLES kaafi waqt se is gaane ko gaa rahe the....

(BLACK OPOSTLES KE BAARE ME JAANANE KE LIYE UPDATE 17 PADHE)

gaana khatm hote hi wo sab kuch der tak apne haathon us cube ke saamne rakhte the maano aag ki tarah us cube se apne haathon ko sekh rahe hon aur kuch der baad wapas apne dono haath faila kar ek dusre ke kandon me rakh jhoomte hue wo dobara issi gaane ko gaana shuru karte the...

abhi abhi unka gaana khatm hua tha aur wo saath OPOSTLES apne haath aage kar cube ke saamne kiye hue the...

kuch der tak aisa karne ke baad jaise hi unhone apne apne haath wapas kheench ek dusre ke kandhon par rakhe taaki dobara gaana shuru kar saken tabhi......

KYA WO TAIYAR HAI?????

ye awaaz pure cave me gunj gayi..awaaz ke gunjte hi saathon dark opostles jinki peeth awaaz ke taraf thi,wo ghum gaye..

par unhone apne saamne khade awaaz ke maalik ko nahi dekha ya fir ye kahun ki dekhne ki koshish tak nahi ki...

palatateh hi wo seven DARK OPOSTLES apne ghutno par jhuk gaye jisse ye saaf pata chal raha tha ki unhe pata tha ki unke saamne kaun khada tha....

HI HAIL ASMODEUS......

us gufa ke andar un seven DARK OPOSTLES ki awaaz ek saath gunji....

apne LORD ko greet karne ke baad wo sab dobara CUBE ki taraf mood gaye aur ek baar firse uske saamne apna haath kiya..

par is baar un sab ke CUBE ke saamne haath karte hi wo CUBE hawa me uth gaya aur waise hi hawa me tairta hua wo CUBE ASMODEUS ke paas pahunch rook gaya...

OPOSTLES-YE TAIYAR HAI.....

CUBE ke rookte hi ek baar firse us gufa me un opostles ki awaaz gunj uthi....

jahan ASMODEUS ki aankhon me us cube ko dekhkar ek chamak thi wahin uske saath aaye BEELZEBUB ki aankhon me dher saare sawaal the....

darasal BEELZEBUB pehle bhi kayi baar CROSS WORLD aa chuka hai par fir bhi do chizon se ab tak anjaan hai...

pehli toh ye ki CROSS WORLD hai kahan????BEELZEBUB ko is bramhaand ke har BLACK aur WHITE WORLDS ke baare me pata hai par wo aaj tak ye nahi jaan paaya ki CROSS WORLD hai kahan...???

jitne baar bhi wo yahan aaya hai,ASMODEUS ke saath hi aaya hai ya fir ye kahun ki ASMODEUS hi usko har baar yahan lekar aaya hai...

har grah tak pahunchne ke liye jin grah binduon se hokar guzarna hota hai,CROSS WORLD tak pahunchne ke liye BEELZEBUB ko wo grah bindu kabhi dikhe hi nahi...

usne bohot koshish ki yahan aane ke maarg ke baare me pata lagane ki par kabhi laga nahi paaya...

aur dusri baat hai khud DARK OPOSTLES....DARK OPOSTLES ki haqiqat se BEELZEBUB ab tak anjaan hai...usse bilkul bhi idea nahi hai ki ASMODEUS ke ye SEVEN DARK OPOSTLES aakhir hain kya chiz....???

darasal DARK OPOSTLES BEELZEBUB ke janm ke pehle se hi ASMODEUS ke saath hain...jab se BEELZEBUB ne DARK OPOSTLES ko dekha hai,tabhi se wo unke baare me sab kuch jaanana chahta hai....

aur khaas kar aaj jo song DARK OPOSTLES gaa rahe the,usse sunkar uski jigyasa aur badh gayi thi....

actually pure song ke baare me nahi,bas song me istamal hua pehle do word ke baare me BEELZEBUB jaanana chahta tha....

kyunki pehle do words ke baad jo song DARK OPOSTLES gaa rahe the wo BEELZEBUB pehle bhi kayi baar sun chuka tha, wo jaanta tha ki wo song ek BLACK ENERGY ABSORVER hai...

wo song asal me ek ENCHANTMENT hai,ek BLACK SPELL hai jiske uccharit hote hi bramhaand me faili har burayi,har negetive energy ki power ASMODEUS ko nirantar milti rehti hai....

par aaj us song me do words add hue the,(Seikilos epitaph)jisse uccharit karne ke baad hi DARK APOSTLES song gaa rahe the.....

BEELZEBUB issi baare me janana chahta tha par usse lag raha tha ki agar wo ASMODEUS se kuch puchega toh har baar ki tarah ASMODEUS usse taal dega..

par man ki adhirta ka kya karen,ye zuban ko khol hi deti hai...BEELZEBUB ne ek baar firse ASMODEUS se CROSS WORLDS ka,DARK OPOSTLES ka aur song se pehle uccharit hue un do words ka matlab jaanane ki sochi....

wo kuch puchne hi waala tha ki.....

ASMODEUS-VAKAM ZAYAM PRAKATAM

HIDDEN LIFE APPEAR

ASMODEUS ke SPELL bolte hi uske saamne hawa me rooka CUBE jisse alag alag colours ki roshniyan nikal rahi thi,wo roshniyan aur tez chamakne lagi....

kuch der tak yunhi tez chamakne ke baad wo CUBE do bhaagon me batne laga.....

CUBE ke beech teen WHITE rays thi jisse dekhkar BEELZEBUB shocked ho gaya...

reason- un WHITE rays me bohot adhik maatra me WHITE ENERGY thi jisse BEELZEBUB feel kar paa raha tha...

BHUVIKA ki wajah se ab BEELZEBUB bhi WHITE ENERGY ko aaram se jhel leta tha warna jitni maatra me un WHITE RAYS me WHITE ENERGY thi,agar pehle waala BEELZEBUB hota toh dard ki atyadhikta se behosh ho chuka hota.....

khair,jaise hi wo WHITE RAYS us cube ke beech se baahar nikle,CUBE wapas jud gaya...

wo teeno WHITE RAYS hawa me tairte hue ASMODEUS ki taraf aaye...

ASMODEUS ne apna ek haath aage kar diya tha jiske upar wo teeno WHITE RAYS aakar rook gayi...

PRAVESHAM

ENTER.....

ASMODEUS ke dobara SPELL bolte hi wo teeno rays ek ke baad ek ASMODEUS ke andar chale gaye.....

jaise hi teeno rays ASMODEUS ke andar gaye,ASMODEUS ko us jagah par jahan se rays andar gaye the,ek jhatka laga par usne pratyaksh me kuch bhi zaahir nahi hone diya...

ASMODEUS ne apna haath aage kiya...wo cube wapas hawa me tairta hua wapas apni jagah par chala gaya....

ASMODEUS- tum sab ko pata hai ki tumhe kya karna hai???

DARK OPOSTLES ne ASMODEUS ki baat sun apna sir haan me hilaya aur agle hi pal.....

saare DARK OPOSTLES ek ke baad kaale dhuen me tabdil hokar us CUBE me samane lage..

kuch hi palon baad us gufa me ASMODEUS aur uske bete ke alawa aur koi nahi tha...

ASMODEUS- tum kuch puchne waale the???

BEELZEBUB jo aakhne faade jo bhi hua usse samajhne ki koshish kar raha tha,ASMODEUS ki awaaz sunkar apni soch se baahar aaya...

BEELZEBUB- haan,kya,haan...wo FATHER darasal mai.....

ASMODEUS- is GRAH ke baare me,DARK OPOSTLES ke baare me,wo jo gaa rahe the uske aage wo jo naye do shabd ka prayaog kar rahe the,uske baare me,mere andar samane waali teeno urja ke baare me,DARK OPOSTLES CUBE ke andar kyun gaye,yahi sab jaanana chahte ho naa....

BEELZEBUB- yes FATHER.....

ASMODEUS- ye jaante hue bhi ki tumne pehle bhi kayi baar is grah aur DARK OPOSTLES ke baare me mujhse pucha hai par aaj tak maine tumhe naa toh tumhe is GRAH ke baare me kuch bataya hai aur naa hi DARK OPOSTLES ke baare me....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB nirash ho gaya....usse laga ki aaj bhi ASMODEUS usse kuch nahi batayega....

ASMODEUS- is GRAH ke baare me toh mai tumhe kuch nahi bata sakta par haan,tumhare man me umad rahe kuch sawaalon ke jawab dekar tumhari jigyasa ko kuch kam zaroor kar sakta hun....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB ki aankhon me chamak aa gaya....

ASMODEUS-Seikilos epitaph.....yahi wo do shabd hain jo mere OPOSTLES gaane se pehle bol rahe the....

un do shabdon ka matlab POWER THE CUBE hai....us gaane ke baare me toh tum jaante hi ho....wo gaana asal me ek aisa mantra hai jisse meri shaktiyon me nirantar izafa hota hai...

par agar us gaane ko ya fir ye kahun us ENCHANTMENT ko bolne se pehle agar Seikilos epitaph in shabon ka istemaal kiya jaaye toh is bramhaand ki saari kaali aur safed urja ke kan us CUBE me samate hain,jisse wo aur sashakht ban jaata hai....

BEELZEBUB-par kisliye...aur us CUBE ko shashakt karne ki kya awashaykta hai???

ASMODEUS- sahi samay aane do..pata chal jaayega.....

BEELZEBUB-aur wo WHITE RAYS jo us CUBE se nikalkar aapme samayi..wo kya thi???

ASMODEUS- uska uttar bhi mai tumhe abhi nahi de sakta..par haan,itna bata sakta hun ki un teeno RAYS me se ek RAY tumhare liye thi....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB chownka....

BEELZEBUB- mere liye matlab???aur agar wo mere liye thi toh aapne mujhe kyun nahi di...

ASMODEUS- surya ki kirane..usse milne wala prakash bhi har kisika hota hai kintu kya koi bhi surya ko apne paas rakh sakta hai???

nahi...wo jal jaayega...thik waise hi wo RAY tumhare liye zaroor hai kintu tum usse jhel nahi paaoge...

BEELZEBUB-kintu wo hai kya???

ASMODEUS- agar batana hota toh kya mai sab kuch ek saath nahi bata deta???us ray ke baare me jaanane ka bhi abhi sahi samay nahi aaya hai....

BEELZEBUB- aur DARK OPOSTLES ke baare me..kya unke baare me mai jaan sakta hun...

ASMODEUS- DARK OPOSTLES meri shakti ke rakhwaale hain...unhi ke maadhyam se meri shakti badhti hai...

BEELZEBUB- ye toh mai jaanta hun..mai ye jaanana chahta hun ki DARK OPOSTLES asal me hainn kaun??mera matlab hai ki bramhaand me faili KAALI URJA ke saath saath SAFED URJA bhi moujud hai....

aapne hi bataya tha ki pehle sirf SAFED URJA thi...KAALI URJA ka nirman toh aapne kiya hai..aur wo bhi SAFED URJA ke bhitar se...

manushya ke man me panapne waale paap ke kaaran unki SAFED URJA ke andar KAALI URJA paida hoti hai...

kintu wo rehti toh SAFED URJA ke bheetar hi hai...un SAFED URJA ke bhitar se KAALI URJA ko nikalna aapke siwa aur kisi se kaise sambhav ho sakta hai???

ASMODEUS jo ki BEELZEBUB ke sawal ko pehle se jaanta tha par fir bhi apne putra ke sawal ki khatm hone ki pratiskhsa kar raha tha...aur jaise hi BEELZEBUB ka sawaal khatm hua,ASMODEUS ne apna right hand saamne hawa me ghumaya...

aur agle hi pal hawa me ek drishya dikhne laga ya fir ye kahun ki DARK OPPOSTLES ki sacchayi dikhne lagi jisse dekhkar BEELZEBUB ko ab tak ka sabse bada jhatka laga....wo ek tak apne father ko dekhne laga....

jo drishya BEELZEBUB ne dekha tha aur hajam karne ki koshish kar raha tha, ussi drishya ko ASMODEUS ne bol kar confirm kiya....

ASMODEUS- BRAMHAAND KE AARAMBH ME DARK OPOSTLES BHI MERI HI TARAH ANGELS THE....

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V...J.....
 
AB TAK AAPNE PADHA KI AVANTIKA ANALIA KO APNE GHAR LE JAATI HAI WAHIN ASMODEUS BEELZEBUB KO DARK OPOSTLES KE SACCHAYI BATATA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION )

MEGA UPDATE-100

PLANET-EARTH

PLACE- MINAKSHI MANSION

GOOD MORNING aunty.......

GOOD MORNING beta........

subah ke karib 9.30 baj rahe the jab RONIT V.J ke ghar pahuncha....hall me hi meri mom baithi thi jinhe dekhkar RONIT ne greet kiya...

RONIT- aunty..bhook lag rahi hai....apne haathon ka kuch yum khila do naa....

MAI- thappad khaa le..sabse yum wahi hai...

isse pehle ki meri mom kuch jawab deti,maine ded diya...

MOM- mera thappad itna yum hai toh pehle tu hi khaa le....

MAI- mom,match khelne se pehle practice karni padti hai...pehle aap practice karlo,fir match khel lena...

MOM- kaisi practice??? kya bol raha hai tu...???

MAI-thappad maarne ki practice...aaj tak aapne macchar bhi nahi maara aur ab aap sidhe mujhe maarne ki baat kar rahe ho..

try mosquitos for some time and than come to me for the slap match....

MOM- badmaash..apni mom ki taang kheenchta hai...rook zara batati hun tujhe...sara match aaj hi khatm kar dungi...

ye bol mom mujhe maarne aayi par mai apni jagah par khada raha aur jaise hi mom mere saamne pahunchi,maine thappad khaane ke liye apne gaal aage kar aankhen band kar li...

par agle hi pal.....

mom ke honth mere gaal ko chu rahe the...mom ne mujhe maara nahi balki mere gaal ko chum liye....

RONIT- kya aunty???mujhe laga aaj isse thappad khaata dekhunga...kitna maza aayega...par aapne toh mere saare armaano par paani fer diya....

MAI- jali teri....awwww......chal ab bhaag yahan se.....

RONIT- teri sadi shakal dekhne nahi aaya hun....aunty bhook lagi hai....

MOM- baith tu..mai breakfast lekar aati hun....

MAI- kya zaroorat hai mom...jitna bhi khila lo,is bhukkad ka pet nahi bharega...

MOM- toh naa bhare..mai khilati jaaungi...

ye bol mom kitchen ki taraf chal padi....

RONIT- lagta hai ab teri jali....

AHHH.....SSSSSS.saale kamine kutte....

MAI- tere ye saare naam aur inke goon mujhe pata hai..dobara kyun bata raha hai...waise itni jalan kaafi hai ya aur chahiye...

par RONIT ne kuch kaha nahi bas mujhe ghur ghur kar dekhte hue apne bum ko sehlata raha...

toh hua ye ki jaise hi RONIT ne mujhe jali teri kaha,waise hi uski bum par maine ek invisible aag jala diya jisse uska pichwada sach me jalne laga tha aur issi wajah se uski aaah nikal gayi thi....

MAI- tu apne pichwade ko sehlaate sehlaate break fast thoos,mai chala apne room.....

mai ghooma aur apne room ki taraf chal pada....

RONIT- saale,ek baar tu thik ho jaa..fir batata hun tujhe......

MOM- arre tu abhi tak khada hai...

mom ke haath me khaane ka tray tha jisse RONIT ne le liya...

RONIT- haan wo bas aise hi aunty...

MOM- ye VICKY kahan gaya...???

RONIT- room me..

MOM- toh tu bhi jaa.mai nashta wahin bhijwaa deti hun...

RONIT- rehne dijiye aunty,mai yahin khaa lunga...wahan jaakar khaane baitha toh mere breakfast khatm karne se pehle wo mera dimag khatm kar dega...

mom ne kuch nahi kaha bas hasti hui kitchen ki taraf chali gayi...RONIT baithkar breakfast karne laga...

HEY RONIT....

SUBPRABHAT RONITJI.....

RONIT ka breakfast khatm hua hi tha ki itne me hall me AVANTIKA aur ANALIA pahunche...

RONIT- RONITJI.....kya baat hai yaar..sikh isse kuch AVNI.....aise baat kiya jaata hai....

AVANTIKA- mai bhi aise hi baat karti hun bas saamne waala itni respect ke layak hona chahiye..ek baar ye tere baare me jaan le,fir dekhna kaise baat karegi....

RONIT dheere se- ek wo saala kadwa jaisa karela aur upar se ye bhi neem jaisi kadwi..kya GOD,kaisi waahiyad jodi banayi hai aapne....

i expected more from u......

AVANTIKA- oye expected waale gadhe...mai bhale hi V.J ki tarah man ki baatein nahi padh paati par dheemi se dheemi awaaz bhi mere kaano ko saaf sunayi deti hai.....

RONIT- arre mai bhi toh tere kaano ki frequency hi check kar raha tha...chalo,ye jaankar acha laga ki sab theek hai....

AVANTIKA- ek hi toh frequency hai jo thik naahi hai....

RONIT- kaun si???

AVANTIKA- tere dimag ki....

AVANTIKA ki baat par ANALIA bhi has di....

RONIT- yaar ANALIA tu toh kamsekam meri side reh......

abhi ANALIA ya AVANTIKA kuch kehte usse pehle hi......

MOM- arre beta AVANTIKA.......tum kab aayi....???aur itne dino baad yaad aayi humari....????

AVANTIKA mom ke pair chune ke liye jhat se aage badhi par mom ne usse jhukne se pehle hi thaam apne gale se laga liya...

jab dono alag hui toh.....

MOM- pata nahi kyun,par jab bhi tujhe gale lagati hun,toh aisa lagta hai jaise VICKY ko gale laga rahi hun....

jahan mom ki baat sukar AVANTIKA ke chehre par smile aa gayi wahin...

RONIT dheere se-lagega kyun nahi...agar wo sir hai toh ye us sir me uthne waala dard jo hai....

aur kisine toh nahi par AVANTIKA ko RONIT ki baat sunayi de gayi....usne ghur kar RONIT ko dekha.....

ANALIA- ye kaun hai???

MOM- ye kaun hai beta......???

jahan ANALIA ne ye sawaal bohot dheere se RONIT se pucha tha wahin MOM ne AVANTIKA se....

RONIT- ye VIKRAM ki mom mera matlab maa hai.....

AVANTIKA- aunty ye meri ek friend ki sister hai..kuch dino ke liye yahan mere paas aayi hai....

RONIT ke mooh se ye sunkar ki saamne khadi lady meri maa hai,ANALIA turant aage badhi aur mom ke pair chu liye....

MOM- arre arre,betiyan pair nahi chuti gale lagti hain.....

mom ne ANALIA ko bhi uthakar gale laga liya.....

ANALIA- hum bata nahi sakte ki hum aapse milne ke liye kitne laalayit the....

VIKRAM jaise putr ko janm deni maa ko hum naman karte hain....

jahan ye bolkar ANALIA ne meri mom ke aage jhukte hue apne haath jod liye wahin RONIT ne apna maatha peet liya aur MOM apne aakhon me sawal liye AVANTIKA ki taraf dekhne lagi....

AVANTIKA- aunty wo actually kya hai naa ki ye bachpan se hi ayurvedh ki padhyai kar rahi hai wo bhi bohot choti umar se...

ye aise hi shuddh hindi me baath karti hai....

MOM- ohh,acha..par ye VICKY ke baare me kya bol rahi thi???

AVANTIKA- isse pata hai ki V.J national topper hai isiliye ye uski fan hai..

MOM- acha aisi baat hai...mujhe bhi tumse milkar bohot khushi hui beta....aap sab baitho,mai aap sab ke liye breakfast bhijwaati hun...

AVANTIKA- arre nahi nahi aunty..we are fine...ghar se breakfast kar ke hi aaye hain..waise V.J kahan hai????

MOM- apne room me.jao,mai coffe bhijwati hun..wo toh piyoge naa???

AVANTIKA-theres no fixed time 4 coffee.definately aunty....chalen....

RONIT- chalo....

AVANTIKA ANALIA aur RONIT strairs chadhte hue V.J ke room ki taraf chal diye...

IN MY ROOM.....

RONIT- iski aisi ki taisi..saala ye hamesha dhyan me hi baitha rehta hai kya???

jaise hi teeno mere room me pahunche,toh mujhe mere bed par dhyan me baithe hue paaya....

jahan RONIT aur AVANTIKA normal the,wahin mujhe dekhkar ANALIA ki khushi ka thikana naa raha..

wo aage badh kar mere bed ke paas pade chair me baithkar mere chehre ko dekhne lagi....

ANALIA- kitna tej jhalakta hai inke chehre par...

RONIT- haan,wo daily cement pothatha hai na mooh pe isiliye.....

par ANALIA ko toh jaise RONIT ki baat sunayi hi nahi di,wo ek tak mujhe nihare jaa rahi thi....

RONIT- lai,ek aur meera paida ho gayi....waise ek baat bata,maana ki tujhe V.J ko dekhne ka ,usse baatein karne ka bohot man kar raha hoga,par tujhe nahi lagta ki hume pehle BHAVISHYAWANI ki paheli ke baare me sochna chaahiye....

i mean bina V.J ko theek kiye usse milna naa milne jaisa hi hai....wo toh ulti sidhi baatein hi karega..

ye sab baatein AVANTIKA ko RONIT ne dheere se kahi thi....

AVANTIKA- hum yahan V.J se sirf milne nahi aaye hain balki usse paheli ka jawaab lene aaye hain...

RONIT- whattt...!!!par kaise?? i mean V.J humari madad kaise karega ya fir ye kahun ki kyun karega...???

usse toh kuch bhi pucho,wo ulta hi jawab dega...

AVANTIKA- mujhe pata hai..par ye bhi ek sach hai ki aisi tough paheli agar koi suljha sakta hai toh wo sirf V.J hai...

RONIT- haan ye toh hai..par ye hum karenge kaise????

AVANTIKA- i dont know...but we will figure out something..par pehle V.J apne dhyan se toh baahar aaye....

RONIT- aur usse pehle ye bairagi toh apni madhoshi se baahar aaye....

RONIT ne ye baat ANALIA ke liye kahi thi jo ki is waqt ek tak mere chehre ko dekhe jaa rahi thi.....

ANALIA ka dhyan todne ke liye AVANTIKA kuch kehne hi waali thi ki.....

TUM SAB MERE ROOM ME KYA KAR RAHE HO????

ye awaaz meri thi...apni baat kehte waqt meri aakhen band thi par baat khatm karte hi maine apni aakhen khol di....

waise toh in teeno ke room me aate hi mujhe ehsaas ho gaya tha ki koi mere aas paas hai par mera is waqt dhyan me baithe rehna zaroori tha.....

kyun???ye aapko next update me pata chal jaayega....

is waqt mere saamne ANALIA baithi hui thi jo mujhe ek tak dekhe jaa rahi thi...

par mere aankh kholte hi wo bhi hadbada kar khadi ho gayi.....

MAI- maine pucha ki tum sab mere room me kya kar rahe ho....????

maine bine ANALIA ki taraf dhyan diye bagair AVANTIKA aur RONIT ke taraf palatethe hue apna sawaal dohraaya...

jahan mujhe khudko undekha karte dekh ANALIA shocked hui wahin AVANTIKA aur RONIT ne bhi is baat ko note kiya par wo normal hi rahe....

RONIT- kyun be,tuhjhse puchkar kamre me aana padega kya???

MAI- haan....chalo niklo ab......

AVANTIKA- kahan niklo....??hum kahin nahi jaa rahe..aur mr..ye room jitna tumhara hai utna hi mera bhi hai..infact tumse zyada hak mera hai is room par isiliye shut up.....

ANALIA- LORD...aapne hume pehchaana nahi..hum ANALIA hain....

MAI- bol toh aise rahi hai jaise queen elizabeth ki nephew hai....

ANALIA-akelahai ki kya hai????

ANALIA ka ELIZABETH ko akelahai bolna sun RONIT aur AVANTIKA ko hasi aa gayi....

MAI- na akela hai na dukela hai..
tera dimag ek number ka thakela hai.....
jo kuch bhi kuch bakela hai....
tere chakkar me mere mooh se kya kya niklelela hai...

ye saala mai kya kya bak raha hun.....

jahan meri baat ANALIA ke sir ke upar se nikal rahi thi wahin meri baat sunkar RONIT aur AVANTIKA ki hasi aur badh gayi thi....

MAI- hahahahaha..chaahe jitna daant dikhalo,shakal nahi badlegi tum dono ki....

AVANTIKA- kya mai itni buri dikhti hun....

yahan meri baat khatm hui,wahan AVANTIKA jhat se mere kareeb aa gayi..meri aakhon me dekhte hue usne apni baat kahi thi.....

saala iski saanson ki mehek....dil keh raha tha ki turant isse apne aagosh me le le,par dimag chutiya najaane kyun mujhe rok raha tha..???

AVANTIKA- bolo naa,kya mai itni buri dikhti hun....

MAI- nahi......

kuch der tak AVANTIKA ko dekhte rahene ke baad mere mooh se jab nahi nikla toh AVANTIKA ke chehre par ek pyari si smile aa gayi par agle hi pal....

MAI- kuch zyada hi buri dikhti ho....

AVANTIKA- you!!!!ruko,batati hun tumhe....

ye bol AVANTIKA mujhepar jhapti...usse bachne ke liye mai turant apne left side hote hue piche ki taraf hua par tabhi......

OH SHIT..........SHIT......SHIT.......SHIT..........

ye awaaz jo thodi loud thi,ye AVANTIKA ke mooh se nikli thi..reason.....

jaise hi mai piche hua,toh meri body ANALIA ke body se halki touch ho gayi....

aur aisa hote hi meri urja jo ki AVANTIKA ke andar thi,usse ek jhatka laga...ye jhatka koi aam jhatka nahi tha,is jhatke se AVANTIKA ke dimag me ek ke baad ek kayi saare thoughts aane jaane lage jis wajah se AVANTIKA ke mooh se wo shabd nikle....

par jhatke sirf AVANTIKA ko hi lage the,balki mere sparsh se ek jhatka ANALIA ko bhi laga tha...

infact ANALIA ko jhatka AVANTIKA se pehle laga tha ya fir ye kahun ki ANALIA ke jhatke ki wajah se hi AVANTIKA ko bhi jhatka laga tha....

AVANTIKA ko shocked hota dekh jahan mai toh normal hi raha ya fir ye kahun ki mujhe koi fark nahi pada wahin RONIT ka dimag ghum gaya....

usse pata tha ki AVANTIKA ke mooh se oh shit nikalne ka matlab hai ko koi bada khulasa hone waala hai.....

par isse pehle ki RONIT iske baare AVANTIKA se kuch bhi puchta......

AVANTIKA- toh tum rakho apna room apne paas...hum jaa rahe hain....chalo tum dono....

jahan RONIT samajh gaya tha ki jo baat AVANTIKA ko pata lagi hai,ussiko batane ke liye usne aisa kaha hai wahin ANALIA ko kyunki koi idea hi nahi tha isiliye.....

ANALIA- itni jaldi..abhi oh hume LORD se thik se baat hi nahi ki hai....

MAI-theek se baat nahi ki hai matlab???kya baat karni hai tumhe???

ANALIA kuch kehne hi waali thi ki.....

AVANTIKA- ANALIA.....baad me.....abhi chalo...

ye bolkar AVANTIKA RONIT ko lekar room se baahar chali gayi.....

AVANTIKA ne ye baat thode strict tarike se kahi thi isiliye ANALIA ne dobara kuch nahi kaha aur AVANTIKA aur RONIT ke piche piche mere room se baahar nikal gayi.....

RONIT- yaar ab kya hua???kal tune teen baar OH SHIT kaha tha..pehli baar jab tune ye kaha tab tujhe yaad aaya ki V.J SECRILLA kyun jaata hai..dusri baar me in madam ki entry hui aur teesri baar me inke dil ka haal pata chala....

aur aaj fir se tune ye bola hai..aur wo bhi ek saath teen teen baar...pakka kuch bada bomb hai..right???

AVANTIKA- bada nahi bohot bada....par yahan nahi bata sakti....second floor me bhi khaali rooms hain naa..wahin chalte hain..wahin batati hun.....

fir bina RONIT ya ANALIA ki baat sune AVANTIKA jhat se stairs ki taraf badh gayi....

RONIT aur ANALIA bhi aankhon me sawaal aur dil me jigyasa liye uske piche piche ho liye......

IN ROOM.....

RONIT- chal,ab phatafat shuru ho jaa...

par RONIT ki baat khatm hone par bhi AVANTIKA ne kuch nahi kaha..wo kuch soch rahi thi....

RONIT- lai,yahan hamari excitement badhakar madam apne hi khayalon me khoyi hui hai....ab bolegi kuch......

RONIT ke dobara puchne par bhi AVANTIKA apni soch se baahar nahi aayi...

AVANTIKA ko abhi bhi jawab na deta dekh RONIT ne uske kandhe ko hilakar uski soch se baahar laane ki sochi...

par jaise hi RONIT ne apna haath AVANTIKA ke kandhe ki taraf badhaya.....

AVANTIKA-OH SHIT.......how did i miss that...ye mai kaise bhul gayi....???

AVANTIKA ko jaise achanak kuch yaad aaya usne chillate hue apni baat kahi...

wahin RONIT AVANTIKA ki achanak uthi aawaz ko sunkar ekdum chownk gaya aur usne turant apna haath piche kheench liya...

RONIT- ab kya naya bomb gira hai jo tune fir oh shit kaha....

AVANTIKA- koi bomb nahi gira hai..actually jo baat pata chali hai ussike baare me soch rahi thi....aur achanak kuch yaad aa gaya....

RONIT- mujhe toh kuch samajh me hi nahi aa raha hai ki tu kya bol rahi hai...???

OFFFFFFF...........

AVANTIKA ne ek lambi saans chhodi aur kehna shuru kiya....

AVANTIKA- kahan se shuru karun????shuruat se hi karti hun.....

ANALIA,TUM YAHAN AAYI NAHI HO BALKI LAAYI GAYI HO......

AVANTIKA ki baat sunkar ANALIA aur RONIT dono ko jhatka laga....

DONO EK SAATH- matlab!!!!

AVANTIKA- matlab ye ki tumhe yahan V.J lekar aaya hai.....

RONIT- yaar ye toh hume bhi pata hai ki ye V.J ki wajah se hi yahan aayi hai..usse milne ke liye...

AVANTIKA- tu samjha nahi....ANALIA apni marzi se yahan Nahi Aayi hai.. balki V.J ke Plan Ki wajah se yahan aayi hai.

RONIT- V.J ka plan??? yaar tu kya bol rahi hai,mujhe toh kuch samajh me hi nahi aa raha...

ANALIA -hume bhi....

AVANTIKA-V.J ke COURIN PHAL ko khaate hi ye aur iske grah waasi shraap mukt ho chuke the....

V.J ko us pedh me apni URJA chhodne ki zaroorat thi hi nahi....par PHAL ke khaate hi V.J ko jaise hi ASMODEUS ke shadyantra ka pata chala,toh agle pal se hi V.J khud ko theek karne ka raasta dhundne laga.......

aur usse raasta mil bhi gaya....

V.J ne COURIS pedh ke andar apni urja daal di jiske andar do kan moujud the...

aur uske baad V.J ne ek khaas SPELL bola par sirf ANALIA ke upar......

AVANTIKA ki baat sunkar RONIT aur ANALIA shocked ho gaye...dono hi kuch kehna chahte par....

AVANTIKA- sab batati hun...par silsilevaar...bas sunte jaao...

mai kahan thi haan toh jaise hi in sab ne us pedh ke phal ko khaaya toh un sab ke andar V.J ki urja aur uske saath saath uske do kan bhi chale gaye....

un do kano me se ek ke andar V.J tak pahunchne ka raasta tha.jisse hote hue ANALIA yahan aayi hai aur dusre kan ke andar ek KAHANI thi.....

RONIT- kaani !!!!kaisi kahani????

RONIT ke sawaal par AVANTIKA ke chehre par ek muskaan naach gayi...

AVANTIKA- ASMODEUS AUR VIKRAM KI KAHANI..........

RONIT- ASMODEUS aur V.J ki kahani???par wo toh V.J hume pehle hi bata chuka hai...fir ussi baat ko ANALIA ke andar daalne ka kya matlab???

aur tune abhi bola tha ki VIKRAM ko khudko theek karne ka idea mil gaya tha...ye kaise possible hai???V.J ko theek karne ka tarika toh hume BHAVISHWANI ne bataya hai jo ki humne kal hi suni hai...

hang on,agar V.J ko khudko theek karne ka tarika maalum chal gaya tha aur ab pata nahi kaise par tujhe bhi jab ye saari baat pata chal gayi hai,toh kya tujhe bhi ye pata chal gaya hai ki V.J theek kaise ho gaya....????

RONIT ki baat sunkar AVANTIKA ke chehre par ek baar aur smile naach gayi...

AVANTIKA- mujhe bhi nahi,mujhe hi pata hai ki V.J kaise thik hoga.....

AVANTIKA ki baat sunkar RONIT aur ANALIA dono khush ho gaye....

RONIT- iska matlab tujhe.....

AVANTIKA- HAAN MUJHE BHAVISHWAANI ME PUCHI GAYI PAHELI KA JAWAB MAALUM CHAL GAYA HAI......

RONIT- really...toh what are u waiting for...???batao,kya hai answer....????

AVANTIKA- baaki ki baat nahi jaanani kya???

RONIT- ofcourse jaanani hai yaar.par jis chiz se sab kuch theek ho jaayega,kyunki mera bhai theek ho jaayega,uske baare me mujhe pehle jaanana hai...

AVANTIKA- par usse faayda nahi goga..paheli ka jawab jaanane ke baad bhi tujhe puri baat janani hogi tabhi tu paheli ke jawab ka matlab samajh paayega.....

RONIT-arre ye kya baat hui???mai itna bhi bewakuf nahi hun.tu paheli ka jawab de,mai sab samajh jaaunga...

AVANTIKA-PEHLE KA JAWAB HAI.........JAIRAJ UNCLE.....

RONIT- what!!!!,par kaise ????aur us paheli me toh kahin bhi UNCLE ka zikr nahi hua tha,fir ye jawab kaise???

AVANTIKA- paheli me naa sahi par kahani me toh hai naa.

RONIT- yaar,please one go me sab bata na...mujhe kuch bhi samajh nahi aa raha hai....

AVANTIKA-isiliye maine bola tha ki bina puri baat sune tujhe kuch bhi samajh nahi aayega...par tu hi nahi maana....

RONIT-acha sorry...chal tune jahan tak bola tha,uske baad se bata....

AVANTIKA- kya bola tha maine!!!haan,toh dusre kan me V.J ne apni aur ASMODEUS ki kahani daal di....

aur iska kaaran ye tha ki V.J ko pata chal gaya tha ki ASMODEUS ne uske dimag ko apne khoon se nishana banaya hai...

V.J ko theek hone ka tareeka toh nahi mila par sochte sochte usse ek raasta mil gaya...

V.J ko yaad aaya ki ISLA ke FOUNTAIN ke andar mujhe bhi ek bhavishwaani mili thi...tab V.J ko iska reason pata nahi chala tha,par ASMODEUS ke shadyantra se usse andaza ho gaya ki ho na ho,mujhe BHAVISHWAANI usse theek karne ke liye hi mili hogi....

V.J ko ye bhi pata tha ki BHAVISHWAANI jab bhi khudko mere saamne open karegi,toh ek paheli ke roop me hi karegi jisse samajhna mere ya kisike liye bhi asaan nahi hoga...

aur isiliye hi V.J ne apni aur ASMODEUS ki kahani ko us phal ke andar chhupaya taaki us kahani se mai paheli ko samajh paaun...

RONIT- but thats the main question???jo jawab tune diya hai,uska paheli se koi lena dena hi nahi hai...

AVANTIKA- bilkul hai....

AVANTIKA ne full confidence se apni baat kahi...

RONIT- par kaise???

AVANTIKA- yaad hai abhi thodi der pehle jab maine oh shit kaha tha,jaanta hai wo kyun kaha tha???

mai V.J ke through uske kan me chhodi gayi story se bhavishyawaani ki paheli ke jawab ko dhundane ki koshish kar rahi thi aur tabhi mujhe kuch yaad aaya.....

SECRILLA tour ke waqt maine yunhi V.J se ek baar pucha tha ki wo kisi bhi puzzle ko itni asaani se kaise solve kar deta hai...???

tab usne mujhe bataya tha ki kisi bhi puzzle ko solve karne ke liye do chizon ke baare me pata hona chahiye....

pehli....ki puzzle ke shabdon par nahi balki us REASON par us kaaran par dhyan do jis wajah se us puzzle ko solve karne zaroorat padi hai...

dusri...us KAHANI par dhyan do jiski wajah se us reason ka us kaaran ka janm hua hai....

V.J ki ye advice mai completely bhool gayi thi par thank god ya fir thanks to V.J kahun ki ANALIA ke andar uske chhode gaye kan me moujud kahani ki wajah se mujhe uski di gayi advice yaad aa gayi..

jaisa ki V.J ne puzzle solve karne ka pehla step bataya tha,maine pehle ussi ke baare me socha....

REASON...BHAVISHYAWANI me jo baatein batayi gayi,uske bataye jaane ka reason....

aur reason hai ASMODEUS ka wo khoon jo is waqt V.J ke dimag me hai....

maine socha ki aisa kya hai ASMODEUS ke khoon me jisne V.J ki personality ko hi badal diya...

par luckily is soch ke mere dimag ke ubharne ke agle hi pal mujhe iska jawab bhi mil gaya....

ANALIA- iska jawab toh hume bhi pata hai...LORD ke khoon me nekdili hain aur unke bhai ke khoon me kapat aur paap hai....

AVANTIKA- nahi ANALIA....dono apni apni jagah sahi hain...bas dono ke is bramhaand ko dekhne ka tarika alag hai...

jahan V.J bramhaand me base logon ko unki galtiyon se upar uthkar dekhta hai wahin ASMODEUS ke liye toh insaan ki uttpati hi galat hai aur isiliye wo insaano ko alag alag tarike se chot pahunchata hai....

ANALIA- toh fir kya hai ASMODEUS ke khoon me aisa jisne LORD ki ye haalat kar di...

AVANTIKA- wahi cheez jispar ye puri kahani likhi gayi hai...ATTITUDE.....DRISHTIKON......

dono bhayiyon ka ATTITUDE jo ek dusre se bilkul alag hai...ASMODEUS ne apne khoon ke zariye apne ATTITUDE ko jisme manushya jaati ke liye NAFRAT hai,usse V.J ke mind me pahuncha diya...

aur issi wajah se V.J ka ATTITUDE.,uski soch kamzor padh gayi aur aisa hote hi V.J se uski pehchaan alag ho gayi....

RONIT- oh teriki....saala ye baat mere dimag me kaise nahi aayi....jab se V.J ke saath ye kaand hua hai,tabse uska behaviour,uska tarika hi toh badla hai..

AVANTIKA- haan par puri tarike se nahi..V.J ka ATTITUDE kamzor zaroor hua hai,par puri tarah badla nahi....aur isiliye hi abhi tak ye universe theek hai....

khair,jaise hi mujhe REASON clear hua,maine puzzle solve karne ke liye dusri chiz par dhyan lagaya,KAHANI......

wahi kahani jo V.J ne ANALIA ke through mujhtak pahunchayi hai...wo kahani jo already mujhe pata hai fir aisa kya hai jo V.J dobara mujhe samjhana chahta hai...

V.J aur ASMODEUS ke beech ka fark jo unhe ek dusre se alag karta hai(ATTITUDE),wo toh mai reason samajhne ke waqt jaan chuki thi,par dono ki kahani ke baare me sochte sochte achanak mere man me wo kadi ubhri jo in dono bhayiyon ko jodti hai.....

aur wo kadi hai......

RONIT- GOD.........yahi toh wo kadi hai jo in dono ko ek dusre se jodti hai....

naa chahte hue bhi dono ek hi pitah ke santan hain.....

AVANTIKA- exactly.....

par is sach ke saath saath ki dono GOD ke bete hain,ek aur sach bhi hai jisse anjaane me hi sahi,par dono jude hue hain ya fir ye kahun ki ek ki wajah se dusra apne aap us sach ke saath juda hua hai.....

ANALIA/RONIT- kaun sa sach???

AVANTIKA- yahi ki VIKRAM GOD ke saath saath JAIRAJ uncle ka bhi beta hai aur isiliye anjaane me hi sahi par VIKRAM ke BHAI hone ki wajah se ASMODEUS bhi JAIRAJ uncle ka beta hai....

RONIT- arre haan....is taraf toh mera dhyan hi nahi gaya tha....soutela hi sahi ya fir ye kahun ki indirectly hi sahi par ASMODEUS bhi toh JAIRAJ uncle ka hi beta hua....

AVANTIKA- exactly..JAIRAJ UNCLE....jo ki ek insan hain..insan jisse ASMODEUS nafrat karta hai...wahi nafrat jo is waqt khoon bankar VIKRAM ke dimag ko lapete hue hai...

aur NAFRAT ko sirf ek hi chiz kaat sakti hai....aur wo hai...

ANALIA/RONIT- PREM/PYAR......

dono ke mooh se do shabd jinke maayne ek hi hain,ek saath nikle.....

AVANTIKA- absolutely right.ab ek baat batao,is duniya me V.J se sabse zyada pyar kaun karta hai???

ANALIA- ek bete se sabse zyada toh uski MAA hi karegi naa...

RONIT- nahi ANALIA....ye sach nahi hai..kamsekam V.J ke maamle me toh bilkul hi nahi...

V.J ki har kaamiyabi par maine MINU aunty se zyada khush JAIRAJ uncle ko dekha hai....

bas fark itna rehta hai ki AUNTY apni khushi sabko batati hai wahin uncle chup rehkar us khushi ko apne andar mehsoos karte hain....

waise toh maa baap ke pyar ko tola nahi jaa sakta par mujhe aisa lagta hai ki JAIRAJ uncle se zyada pyar V.J se koi nahi kar sakta...

AVANTIKA- sahi jawab...ANALIA tumne jo kaha wo toh sabhi kehte hai..maana jaata hai ki ek maa se zyada pyar apne bacche se koi nahi kar sakta....

par ye baat puri tarah sach nahi hai...ek maa apne pyar ko har waqt dikhati hai jis wajah se aisa lagta hai ki usse zyada pyar uske bacche se koi nahi kar sakta..

par asal me pyar aur tyag ka sabse bada roop ek PITAH ka hota hai...jo bina apni bhaavnaaye dikhaye apne saare farz pure karta hai...

ek beta apne saare demand apni maa se karta hai par us demand ko pura uska pita karta hai wo bhi khamoshi se..bina koi credit liye....

JAIRAJ uncle ka V.J se kiya gaya unconditional pyar aur V.J ka apne pitah JAIRAJ uncle se kiya gaya waisa hi PYAR JAIRAJ uncle ko wo zariya banata hai jisse ASMODEUS ki nafrat se bhare khoon ko V.J ke andar se mitaya jaa sakta hai...

RONIT- chalo maana ki JAIRAJ UNCLE aur unka V.J se pyar hi is paheli ka answer hai,par sawaal ab bhi wahi hai...kaise???

i mean pyar toh ek feeling hai,aur JAIRAJ uncle ki V.J ke liye feeling toh hamesha se thi,hai aur rahegi...fir V.J thik kyun nahi ho raha????

AVANTIKA- paheli yaad hai...

RONIT- haan....

AVANTIKA- ek baar bol....

RONIT-mere sparsh se rakht ki
jakad DHEELI HOGI....

par sampoorn upchaar
us paani se hoga,

jisme mohobbat me nikli
namkeen paani MILI HOGI....

suna..yahi toh mai keh raha hun,paheli ke aakhir me saaf bataya gaya hai ki ilaaj us paani se hoga,jisme mohobbat me nikli namkin paani mili hogi....

uncle ko apne bete se mohobbat toh hai,par wo mohobbat ek feeling hai jabki ilaaj paani se hoga....

AVANTIKA- correction..mohobbat ke paani se....

RONIT- haan,wahi.....mohobbat ke paani se...

AVANTIKA- waise toh NAFRAT bhi ek tarah ki feeling hi hai,fir uska asar V.J par kaise hua????

RONIT- arre wo toh ASMODEUS ne apne khoon ke zariye apni nafrat........OH SHIT...OH..SHIT......OH SHIT........

apni baat kehte kehte achanak RONIT ke dimag ki batti jali aur usne bhi waise hi react kiya jaisa PAHELI ka jawab milne par AVANTIKA ne kiya tha....

AVANTIKA- dimag ki batti batti jali!!!!

RONIT- puri jal gayi yaar....mai kitna bada duffer hun.saala itni obvious baat samajhne me mujhe itna waqt kaise lag gaya???

paheli ka jawab JAIRAJ UNCLE KA KHOON hai jisme unki V.J ke liye mohobbat chupi hui hai....wahi mohobbat jo ASMODEUS ke khoon me basi nafrat ko khatm kar sakti hai....

khoon me bhi toh paani hota hai aur khoon ka taste.......

AVANTIKA- salty yaani namkeen hota hai......

RONIT-UN..BE..LIE...VABLE............

AVANTIKA- V.J ke andar JAIRAJ uncle ka khoon doudta hai....aur us khoon ke saath milkar doudte hain uncle ke diye gaye sanskaar..

wahi sanskaar jisse V.J ka ATTITUDE bana hai....aur ussi ATTITUDE se hi V.J ka astitv hai...

ASMODEUS ke khoon ne V.J ke dimag par kabza kar JAIRAJ UNCLE ke khoon ko wahan se sokh liya....aur issike saath unke values ko bhi baahar nikal diya....

par baahar nikalte nikalte bhi JAIRAJ uncle ke khoon ne ASMODEUS ke khoon aur usme chupi nafrat ke asar ko thoda kamzor kar diya...

aur aadha kaam MERCIA RIVER ne kar diya....aur ab JAIRAJ uncle ka khoon hi V.J ke dimag se ASMODEUS ke khoon ko aur uske asar ko puri tarike se khatm kar dega....

apni baat puri kar jaise hi AVANTIKA ki nazar RONIT par gayi toh usse kuch sochte hue paaya....

AVANTIKA- kya hua...kya sochne lag gaya???mujhe laga paheli ka matlab samajh tu khushi se naach uthega par tu toh kisi gehri soch me goom ho gaya???

RONIT- haan soch toh mai raha hun AVNI...aur wo ye ki kya JAIRAJ uncle ka khoon nikalna sahi rahega....!!!!???

haan ye sach hai ki yahi V.J ka ilaj hai par JAIRAJ uncle ko taklif dena mujhse nahi ho paayega...

aur V.J ke theek hone ke baad jab usse pata chalega ki wo kaise thik hua hai toh wo toh humse baat karna hi chhod dega.....

AVANTIKA- oye tu kya kya sochne laga???hume JAIRAJ uncle ka khoon zaroor chahiye par bas ek do boond.....utna hi jitna maleria ke blood test ke waqt liya jaata hai....

RONIT-what!!!utne me ho jaayega???

AVANTIKA- yaar,commerce student hokar bhi itna nahi jaanta ki quantity nahi quality matter karti hai....

JAIRAJ uncle ke khoon ke bas ek touch se ASMDOEUS ke khoon ka asar khatm ho jaayega.....

RONIT- fir toh koi problem nahi hai???

ANALIA-AVANTIKAJI,aapke haath ko dekhiye????

AVANTIKA kuch kehne hi waali thi ki itne me ANALIA ne uske haath ki taraf point karte hue apni baat kahi.....

is waqt AVANTIKA ke right hand ke beech ka hissa tez chamak raha tha jisse dekhkar ANALIA shocked hui thi aur ab RONIT bhi chownk gaya tha....wahin us chamak ko dekhkar AVANTIKA ke chehre par ek muskaan naach gayi....

RONIT-abbe ye kya ho raha hai???

AVANTIKA- confirmation....

RONIT- kaisa confirmation???

AVANTIKA-bhool gaya kya??bhavishyawaani paheli bankar jis paani ke chamakte charre ke roop me hume mila tha,wo is waqt mere haath me hai...

aur iska chamakna is baat ka confirmation hai ki humne is paheli ko solve kar diya hai...

RONIT- than what are we waiting for???aaj sunday hai..matlab uncle ghar me hi hain..

mai ek kaam karta hun,unke paas jaakar baat karte karte kisi tarah koi pin unke body ke kisi bhi part me halka push kar dunga...

isse unka blood bhi nikal jaayega aur uncle ko zyada fark bhi nahi padega..unhe lagega ki unhe kisi mosquito ne kaata hai...

mai hoshiyari se unke khoon ko ek vessel me daalkar le aaunga...bas aunty unke saath na ho....

AVANTIKA- aunty unke paas nahi hai...aur tujhe uncle ko baaton me bhi uljhane ki zaroorat nahi padegi...

kyunki is waqt uncle apne bedroom me so rahe hain.....

AVANTIKA ki baat sunkar RONIT chownka...

RONIT- so rahe hain,is waqt,kyun??aur tujhe kaise pata????

AVANTIKA- kyunki maine hi unhe sualaya hai???

RONIT- what????

AVANTIKA-hmm.actually jaise hi mujhe paheli ka answer mila toh maine V.J ki urja ka ek chota sa bhaag uncle ke paas bhej diya..

us bhaag ne uncle ko charon taraf se gher liya jisse uncle ke sharir ke saath saath dimag par bhi presurre padne laga aur wo thakne lage...

unhe laga ki work load ki wajah se unhe thakan feel ho rahi hai isiliye wo aunty ko bolkar room me rest karne ke liye chale gaye aur filhal gehri neend me hain...

RONIT- tune uncle ko sulane ke liye V.J ki urja ka use kiya..kahin uncle ko kuch ho jaata toh...!!!!

AVANTIKA- nahi hota...us urja ne unhe chhua nahi tha bas unhe chaaron taraf se ghera tha....

RONIT- yaar AVNI,tu din ba din khatarnaak hoti jaa rahi hai...

RONIT ki baat sunkar AVANTIKA bas muskura di....

ANALIA- toh ab??

AVANTIKA- toh ab ye ki RONIT tu jaakar uncle ka blood le aa tab tak mai V.J ko bhi sula deti hun....

RONIT-V.J ko sulayegi..par kaise???

AVANTIKA- jaise uncle ko sulaya hai...bas fark itna hoga ki V.J ko uski urja gheregi nahi balki chuwegi.....

RONIT- par isse V.J ko khatra ho sakta hai???

AVANTIKA- koi khatra nahi hoga..mat bhool ki V.J se bas uski urja cheeni hai,uski taakat ab bhi ussike paas hai....

V.J ki urja jaise hi V.J ko touch karengi, toh uski shaktiyan usse ladhne ke liye aage aayengi par dono hi ek dusre ko nuksaan nahi pahuncha sakti kyunki dono hi V.J ki amanat hain...

par is takraw se V.J ke senses thak jaayenge aur V.J behoshi jaisi neend me chala jaayega.....

aur ye zaroori bhi hai ki V.J ke theek hote waqt V.J neend me rahe ya fir behosh ho jaaye kyunki agar wo jaagta raha toh uske dimag me moujud ASMODEUS ka khoon V.J ko theek hone nahi dega..

wo V.J par pressure daalega ki V.J humse door chala jaaye....

RONIT- sab tere haath me hai AVNI...tune mujhse jo karne ko kaha hai,mai wo kar deta hun..baaki sab tere upar hai......

AVANTIKA- baat jab V.J ki ho toh mai koi chuk nahi kar sakti RONIT....agar mera pyar saccha hai,agar mai sach me V.J ki shakti hun toh aaj mai usse thik karke hi rahungi....

AVANTIKA ne apni baat full confidence ke saath kahi aur fir.....

AVANTIKA- chal ANALIA..hum V.J ke paas jaate hain....all the best RONIT...mai wait kar rahi hun,jaldi aa....

apni baat keh AVANTIKA ANALIA ko lekar room se baahar nikal gayi wahi unke jaate hi.....

RONIT- chal beta RONIT...lag jaa kaam par....

RONIT bhi neeche jaane ke liye room se baahar nikalne hi waala tha ki.....

RONIT- mujhe niche nahi jaana chahiye..agar saamne hall me aunty huyi ya naana naani ya fir bache toh mujhe uncle ke bedroom me jaane nahi denge..

isiliye jo bhi karna hai,yahin se karta hun....

SUCHNA PRALITAH DRISHTI BHAVA

INFORMATION RAYS VIEW

RONIT ne apne haath faila kar is mantra ko uccharit kiya..SPELL ke uccharit hote hi RONIT ke dono haathon se do adrishya rays nikli aur darwaaze se hote hue baahar nikal pure ghar me failne lagi....

wo rays sidhiyon se hote hue niche ground floor par gayi aur hall se guzar kar har room aur kitchen me ghus gayin..

jab un rays ne pure ghar ko cover kar liya wo tezi se wapas upar RONIT waale room ki taraf nikal padi...

ye sab kuch hi palon me ho gaya tha...room me pahunch wo rays hawa me uth gayi aur agle hi pal......

RONIT ke saamne hawa me hi do chalchitra dikhne lage....un dono chalchitra me pure ghar me kaun kaha hain,wo sab dikhne laga...

RONIT ko ye dekhkar chain aaya ki MINU aunty hall me baith kar phone par kisi se baatein kar rahi hain aur JAIRAJ uncle apne bedroom me soye hue hain aur is waqt unke aas paas koi nahi hai...

sab kuch dekh lene ke baad RONIT ne apna haath saamne ki taraf ghumaya..RONIT ke aisa karte hi wo chalchitra band ho gaya....

RONIT- haashhh....uncle ke room me koi nahi hai..par isse pehle ki koi wahan jaaye,mujhe jaldi se apna kaam kar lena chahiye....

RONIT ne apna haath fir aage kiya aur agle hi pal.......

MAAYA DWARAM....

MAGIC DOOR.....

RONIT ke SPELL bolte hi uske saamne ek magical door open ho gaya....door ke dusre taraf JAIRAJ uncle ka bedroom tha...RONIT turant us door ke andar chal gaya...

room me pahunchne ke baad bhi RONIT ne magical door band nahi kiya.....

dhadakte dil ke saath RONIT JAIRAJ uncle ke saamne pahunch gaya....

RONIT- maaf kijiyega uncle....par aapke bete aur mere bhai ke liye hume ye sab karna padh raha hai....

RONIT ne JAIRAJ uncle ke saamne apne haath jod ye baat kahi...

RONIT ne apne jode hue haathon ko neeche nahi kiya balki unhe hatheli ke roop me sidha kar diya aur

APITALPA PRAKATAM

PIN APPEAR

DHARMAVASTAMBAHAM

SMALL VESSEL.....

RONIT ne do mantra bole aur agle hi pal uske ek hatheli me ek sharp pin prakat hua aur dusre hatheli ke upar ek chota sa vessel....

RONIT aage badha aur UNCLE ke sirahane me jaakar baith gaya....

RONIT- again sorry uncle,but its important...

apni baat keh RONIT ne ek lambi saans chodi aur agle hi pal.....

SHHHHH...........

ye awaaz JAIRAJ uncle ke mooh se nahi balki RONIT ke mooh se nikli thi.....

reason...RONIT ne uncle ke right hand ko utha apne thigh ke upar rakha..fir usne uncle ki hatheli ko theek se hold kar index fingure ke upar jaise hi halka pin kiya,us jagah se turant khoon nikalne laga jisse dekhkar RONIT ke mooh se shhhhh nikal gayi...

par apne anxiety ko control kar agle hi pal RONIT ne turant pin ko side me rakh uncle ki us ungli ko hold kar jisse khoon nikal raha tha,thoda press kiya...

thik waise hi jaise blood nikaalne ke baad pathology lab waale karte hain....aisa karte hi us ungle se thoda zyada blood baahar aane laga...

RONIT ne jhat se vessel ko jo usne dusre haath me pakda hua tha,usse us blood nikalne waale ungli se sata diya....

us ungli ka blood dheere dheere fisalta hua us vessel me girne laga...kuch palon me hi chote chote 2 ,3 boond khoon ke drops vessel ke andar chale gaye.....

kaam pura hone ke baad RONIT ne pehle vessel ka knob band kiya aur JAIRAJ uncle ka haath wapas neeche rakh diya.....

RONIT kuch der tak JAIRAJ uncle ki us ungli ko jisse halka halka khoon abhi bhi nikal raha tha,usse apne anghute se daba kar kar baitha raha...par tabhi.........

RONIT- OH SHIT.......

RONIT jhat se utha aur vessel aur pin ko pakad us magic door se jisse wo yahan aaya tha aur jo abhi bhi khula hua tha,uske andar kood gaya...

door ke dusre taraf jaate hi RONIT ne turant door band kar diya....

RONIT- thank GOD..bach gaya.....

toh hua ye ki RONIT jab JAIRAJ uncle ke ungli ko hold karke baitha hua tha tab usse room ka knob ghumne ki awaaz aayi jisse sunne ke agle second hi RONIT magic door ke andar kood gaya......

RONIT- saala koi kaam aaram se hota hi nahi..kuch na kuch locha toh hamesha hoga hi???khair,mission accomplised....

mera kaam toh ho gaya ab jaakar dekhta hun ki AVNI ne apna kaam kiya ya nahi...wo V.J ko sula paayi hai ki nahi.....

RONIT ne JAIRAJ uncle ke khoon waale vessel ko apne jeans ki pocket me daala aur room se baahar nikal gaya......

WAHIN MERE ROOM ME....

ANALIA- arre ye toh firse dhyan ki mudra me baith gaye!!!!!

ANALIA ki baat sunkar AVANTIKA muskurane lage....

AVANTIKA- aaj kal ye janab tabhi ache lagte hain jab inki aankhen band hon..aankhen kholi nahi ki inke dimag ke saath sab kuch badal jaata hai..

waise acha hi hai jo inki aankhen band hain,humara kaam ab aasani se ho jaayega...

AVANTIKA chalti hue mere paas aayi..kuch der tak mujhe ek tak dekhne ke baad....

SWARASEGAM SHAKTIYEM

RELEASE ENERGY

AVANTIKA ke SPELL bolte hi uske seene ke upar ek tez roshni chamki aur ussi roshni se ek white energy ki chaadar se nikli...

wo energy aage badhi aur mere chaaron taraf ghumne lagi....

jaise hi us WHITE ENERGY ne mujhe ghera,mere sharir se halki peeli roshni baahar nikalne lagi......

ye peeli roshni meri shakti thi jo mujhe protect karne ke liye baahar aayi thi....

wahin wo WHITE ENERGY jo mujhe ghere hue thi,wo mujhe khudme lapetne ke liye ya fir ye kahun ki mujhe chune ke liye mere sharir ke paas aane lagi par.......

WHITE ENERGY ke mere sharir ko touch hone se pehle hi mere sharir ki se nikalne waali peeli roshni ne us WHITE ENERGY ko rokna shuru kar diya...

aisa lag raha tha maano dono roshniyan ek dusre ko dhakka dene par lagi hui hain...

par kyunki WHITE ENERGY me ANGELS ki urja thi isiliye wo meri shakti ko wapas mere sharir me dhakelne me kaamiyab hone lagi aur kuch hi palon ke baad......

WHITE ENERGY ne meri shaktiyon ki roshni ko puri tarike se mere andar dhakela aur aisa hote hi jaise meri ANGEL ki urja ka sparsh meri body se hua........

mere sharir ko ek tez jhatka laga aur agle hi pal mera sharir jo abhi baitha hua tha,wo ek taraf ludakne laga,par isse pehle ki mai bed par girta,AVANTIKA ke haath ne mere sir ko pakad liya aur dheere dheere mujhe niche kar mere takiye par leta diya.....

mere sote ya fir ye kahun behosh hote hi meri WHITE URJA wapas AVANTIKA ke andar chali gayi....

AVANTIKA- haashhhhh.....sabse bada tention toh khatm hua.....ab bas RONIT uncle ka blood lekar aa jaaye.....

AAJ JAAYE NAHI AA GAYA.....

ye awaaz AVANTIKA aur ANALIA ke piche se aayi thi jo aur kisi ki nahi RONIT ki thi jo is waqt apne haath me wo vessel tha jisme mere dad ke khoon ke chand bunde thi ya fir ye kahun ki ASMODEUS ke jail se meri rihayi ke papers the...

RONIT ko aur uske haathon me mere mere dad ke chand bundon vaali vessel ko dekhkar AVANTIKA ki khushi ka thikana nahi raha....

wo jhat se aage badhi aur RONIT ke gale lag gayi..uski aankhen abhi bheegi hui thi..RONIT bhi uske dil ki haalat se waakif tha..

usne ek bade bhai ki tarah AVANTIKA ke sir ko sehlaya.....

RONIT- rone ke din khatm hue AVANTIKA....ab rone ki baari hamare dushmano ki hai....lets get ur b.f and my brother back.....

RONIT ki awaaz me bhaaripan,ghussa,pyar,chahat sab tha....bhai jo hai mera....har waqt mujhe jeetate hue dekha hai usne,par is baar jab usse pata chala ki mai ek baazi haara gaya hun toh usse bardasht nahi ho paa raha tha....

AVANTIKA RONIT se alag hui,usne apne aansu poche aur RONIT ke haathon se us vessel ko le liya.....

dheere dheere par confident kadmo se chalte hue AVANTIKA mere saamne aakar khadi ho gayi....

AVANTIKA-wapsi ka waqt ho gaya LORD OF ANGELS.....

mujhe dekhte hue muskurate chehre ke saath apni baat keh AVANTIKA ne apna right hand aage kiya aur apne dusre haath ko jisme usne JAIRAJ uncle ke khoon waale vessel ko pakda hua tha,usse apne right hand ke beech me rakh diya aur

AVANTIKA-BHAVISHYAVANI PRAKATAM....

AVANTIKA ke aisa bolte aur vessel ko mehsoos karte hi AVANTIKA ke haath ke beech ka bhaag kuch der pehle ki hi tarah dobara jagmnagane laga....

us jagah ko jagmagata dekh AVANTIKA ne vessel ko wahan se hata liya....

wo roshni kuch aur tez chamki..kuch der yunhi chamakne ke baad wo roshni paani ke charre ke roop me AVANTIKA ke haath se baahar aa gayi...

kuch upar hawa me uthne ke baad wo paani ka charra AVANTIKA ke theek aankhon ke level par aakar rook gaya....

AVANTIKA ne apna right haath aage kiya..wo paani ka charra AVANTIKA ke hatheli ke upar aa gaya...

ye jo bhi ho raha tha usse RONIT aur ANALIA dhadakte dil ke saath dekh rahe the....

AVANTIKA us charre ko thaame aage badhi...V.J ke kareeb pahunch AVANTIKA halka jhuk gayi...

AVANTIKA apne right hand ko jisme wo paani ka charra tha usse V.J ke sir ke just upar le gayi.usne apne haath ko neeche ki taraf tilt kiya aur agle hi pal........

AVANTIKA ke apne hatheli ko tilt karte hi wo paani ka charra uske hatheli se fisalta hua neeche ki taraf fisla aur sidhe mere sir ke beecho beech takraya...

mere sir ko chute hi wo paani ka charra phat gaya aur uske andar ka paani mere pure sir me fail sa gaya.....

mere pure sir me failne ke baad wo paani mere dimag ke andar chala gaya aur jaise hi aisa hua.....

mere sharir ko ek tez jhatka laga.....jhatke ki wajah se mera pura sharir kuch feet tak hawa me utha aur dobara neeche bed par gir gaya.....

mere saath aisa hota dekh RONIT aur ANALIA dar gaye par AVNTIKA normal hi rahi....

RONIT- AVNI YE sab!!!!!

AVANTIKA- sab theek hai....BHAVISHYAWAANI ka paani apna kaam kar raha hai....V.J ke dimag ki nason se ASMODEUS ke khoon ki pakad ko dheeli kar raha hai....

ek gehri saans lekar AVANTIKA ne pehle dad ke khoon waali shishi ko dekha aur us shishi ko mere sir ke paas laane lagi....

aisa karte waqt AVANTIKA ke haath kaamp rahe the jisse RONIT ne dekh liya...

RONIT aage badha aur AVANTIKA ka haath thaam liya jisse uske haathon ka kaampna band ho gaya.....

AVANTIKA ne ek baar RONIT ki taraf dekha...RONIT ne muskurate hue AVANTIKA ko aage badhne ka ishara kiya....

haan me apna sir hila AVANTIKA ke hath aage badhe aur theek mere sir ke upar aakar rook gaye....

ek baar dobara RONIT ki taraf dekhne ke baad AVANTIKA ne VESSEL ke knob ko khola aur usse dheere dheere jhukana shuru kiya...

vessel ke ghumne se dad ka khoon bhi dheere dheere vessel ke bottom se sarakta hua aage aane laga.....

aur jaise hi AVANTIKA ne vessel ko pura ulta kiya........

tap....tap.....tap..........

dad ke khoon ki teen boonde mere sir ke thik beecho beech takrayi....

aur jaise hi aisa hua........teen cheeze ek ke baad ek hui....

PEHLA-MERE ALAWA MER GHAR ME MOUJUD SABHI KA SAMAY CHAKRA ROOK GAYA........

DUSRA- MERI BODY KO TEEN BAAR ZOR KE JHATKE LAGE..JHATKE LAGNE KE BAAD ACHANAK MERI BODY HAWA ME UTHI AUR WAHI ROOK GAYI....

TEESRA- DAD KA KHOON JO KI DHEERE DHEERE MERE DIMAG KE ANDAR JAA RAHA THA,WO PURA ANDAR CHALA GAYA AUR AISA HOTE HI........

DO CHEEZEN EK SAATH HUI.......

PEHLI- MERE SIR KE BEECH SE EK KAALA DHUAN BAAHAR NIKLA YA FIR YE KAHUN KI DAD KE KHOON NE KHEENCH KAR US KAALE DHUEN KO BAAHAR FEK DIYA...

DUSRA-WO DHUAN MERE DIMAG SE BAAHAR AATE HI GAAYAB HONE WAALA THA PAR USSE PEHLE HI AVANTIKA KE SEENE KE BEECH ME SE BOHOT ZYADA MAATRA ME WHITE ENERGY NIKLI AUR MERE HAWA ME LETE SHARIR KO US ENERGY NE CHAARON TARAF SE GHER LIYA.....

WO KAALA DHUAN AB BHI MERE PAAS HI THA ISILIYE WO DHUAN BHI US WHITE ENERGY KE GHERE ME FAS GAYA....

AB NAA WO BHAAG SAKTA THA AUR NAAHI GAYAB HO SAKTA THA.......

wo WHITE ENERGY jo ki asal me meri hi urja thi,wo tezi ne neeche jhuki aur us kaale dhuen ko khudme lapet liya aur aisa hote hi wo kaala dhuan blast hokar khatm ho gaya...

aur tabhi.........

mere sharir se dobara peeli roshni nikalne lagi jo ki meri hi shakti thi par is baar us shakti ne meri urja ko dhakela nahi balki wo usse kheenchne lagi.....

ek pal ke souwe hisse me meri urja aur meri shakti ek dusre me sama chuke the...ek dusre ko firse except karne ke baad jaise hi wo mere andar gaye.......

meri aankhen khul gayi yaa fir ye kahun ki LORD OF ANGELS aaj kayi dino baad ek neend se jaage the....

meri aankh khulte hi meri body jhat se neeche bed par aa gayi aur agle hi pal mai khada ho gaya....

mere khade hote hi mere room me ek baar firse tez roshni chamki aur jab wo roshni kam hui toh mere chehre par ek muskaan naach gayi....

jaisa ki mere pehli baar LORD OF ANGELS bante waqt hua tha(update 47)kuch waisa hi abhi ho raha tha...mere room ka size bohot bada ho chuka tha aur is waqt mere saamne mere saare ANGELS sir jhukaaye apne ghutno ke bal baithe hue the....

un sab se aage mere doston ke theek piche teeno GODS MESSENGERS sir jhukaye baithe hue the....

un sab se baat karne se pehle mai unhe thanks kehna chahta tha jiski wajah se mai theek ho paaya hun....

the love of my life...AVANTIKA

mera BHAI se badhkar dost...RONIT

wo ikka jiski wajah se mai ye baazi jeet paaya....ANALIA

maine apna haath teeno ke aage kiya aur agle hi pal un teeno ka samay chakra wapas shuru ho gaya....

teeno ke samay chakra shuru hote hi teeno ko ek jhatka laga....jhatke se ubhar ke jab teeno ki nazar saamne gayi toh unhe samajh hi nahi aaya ki wo kaise react karen...unki khushi ka thikana nahi raha....

RONIT ko ab bhi thoda doubt tha ki mai thik hua ya nahi isiliye...

RONIT-bhai tu.......

MAI- tera bhai theek ho gaya hai mere bhai.....

bas itna sunane ki der thi...RONIT sidha mujhpar kood gaya....maine usse gale se laga liya...

RONIT ne mujhe kas kar lage lagaya hua tha..uski aankhen maano abhi baras si rahi thi....dabi par ek gurrahat jaisi awaaz uske gale se nikal rahi ti...

aisa lag raha tha jaise wo apne saare gum jo usne najane kab se daba rakhe the,wo un sab ko ek saath nikal raha tha....

MAI- shhh.........chup ho jaa yaar....tu royega toh mujhe bhi rona aayega aur tujhe pata hai ki mujhe rona acha nahi lagta....

RONIT- ro lene de yaar.....is moment ke liye kabse tadpa hun mai.....ek tera hi toh kandha hai jispar mai toot sakta hun kyunki mujhe pata hai ki tu mujhe wapas jod dega.....

bohot taklif,ghussa,nafrat bhara pada hai mere dil me....aaj in aansuon ke saath un sab ko nikal jaane de....

MAI- is taklif ghussa nafrat ki wajh ANJALI hai naa...

RONIT- tujhse kya chhupa hai bhai.bohot yaad aati hai yaar uski,khud toh chali gayi par mujhe zinda tadapne ke liye chhod gayi...

uske upar tere saath itna kuch ho gaya aur mujhe pata tak nahi tha....maaf karde yaar..bina sach jaane maine tujhe kya kya nahi bola tha???

mere sath toh fir bhi saare gharwaale the,par tu toh akela tha...

MAI- kisne kaha..door se hi sahi,par har din,har ghante,har minute,har second koi tha jo mere saath juda hua tha.....

ye baat maine AVANTIKA ko dekhkar kahi thi jo is waqt chup chaap aakhon me khushi ke aansu liye mujhe dekh rahi thi....

RONIT ko bhi ehsaas ho gaya ki is waqt mere baahon me samane ke liye AVANTIKA kitni bechain ho rahi hogi...

RONIT ko ehsaas tha ki AVANTIKA ko uski tadap ke baare me bhi andaza tha isiliye usne khudse pehle usse mujhse milkar apna man halka karne diya....

AVANTIKA ka ehsaas hote hi RONIT thoda side hat gaya....

RONIT- oye,dekh kya rahi hai....toot pad...

AVANTIKA dheere dheere mere karib aayi....

maine apna haath aage badhaya,usne mera haath thaam liya....

maine jhat se usse halka kheencha aur agle hi pal AVANTIKA mere baahon me thi....

maine toh AVNATIKA ko apni baahon me sameta tha par AVANTIKA ne toh mujhe jaise jakad sa liya tha....

mai uski bechaini jaanta tha...uski tadap mehsoos kar sakta tha....mere zakhm ko apna dard bana kar najaane kab se chal rahi thi ye pagli....

MAI- mohobbat hum dono ne ki hai,par imtihaan sirf tumne diya hai....

AVANTIKA- MAI aur TUM HUM me kho chuke hain V.J. imtihaan bhale maine diya hai par usme paas hum dono hue hain....

MAI- ishq ne bolna sikha diya hai tumhe...

AVANTIKA- tumhare ishq ne mujhe apna dil kholna sikha diya hai...

MAI- waise RONIT aur ANALIA hume hi dekh rahe hain...

AVANTIKA- dekhne do..mujhe kisiki parwaah nahi...

MAI- sach me..un laakhon angels ki bhi nahi jo un dono ke peeche khade hain.....

AVANTIKA- nahi.......

AVANTIKA ne bekhayali me nahi bol toh diya par jab usne meri baat par gour kiya toh wo jhat se mujhse alag hui aur piche palti...

piche ka mahoul dekh AVANTIKA ka mooh khul gaya...wahin AVANTIKA ko yun achanak piche moodte aur shocked hote dekh RONIT aur ANALIA bhi palte aur piche mudte hi unka bhi wahi haal hua jo is waqt AVANTIKA ka tha....

ANGELS ko wo bhi itne zyada taadad me AVANTIKA aur RONIT ne toh pehle bhi dekha hai,par ANALIA ke liye ye first time tha..wo hadbadate hue piche hath gayi....

wahin mai AVANTIKA haath pakad chalta hua RONIT ke side me aakar khada ho gaya....

MAI- khade ho jaaiye....

mere bolte hi saare ANGELS khade ho gaye...

maine apne seene par haath rakha aur agle hi pal.....

mere seene ke thik beech me se anginat roshniyon ki rays nikalkar saare ANGELS ke seene ke beech me samane lagi.....

aisa lag raha tha maano meri rays ne sabhi ko khudse jod liya hai....kuch der tak aisa hota raha,fir mere seene ke upar se nikalne waali roshniyon ki rays gaayab ho gayi...

MAI- kaisa mehsoos kar rahe hain aap sab???

ST SEBASTIAN- atyadhik urja ka bahav....

MAI- hmm....waise toh aap sab meri urja ki wajah se har waqt mujhse jude rehte hain par ab meri urja ka kan aap sabke andar moujud hai....

ab agar koi chahe bhi toh naa hi meri urja ko mujhse chhin sakta hai aur naahi aap sab ki......

meri urja ek darwaza bhi hai jo ab aap ke andar bhi moujud hai....aap kahin bhi rahen,par yaad rakhiyega ki aapke andar ek darwaza hai aur uski dusri taraf mai hun....

jahan meri baat sunkar sabhi ANGELS khush ho gaye wahin meri jaan aur mere dost ke man me ek saath ek khayal aaya...aur wo ye ki........

jab dimag ke band hote hote bhi isne itna kuch kar diya tha toh ab jab ye theek ho gaya hai toh......

KYA KYA KAREGA V.J AUR KYA KYA KARAYEGA USSE USKA................ATTITUDE....................

AAJ KE LIYE ITNA HI.........

AAPKA APNA V.J...........
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM KO USKA ASTIVT,USKI PEHCHAAN WAPAS MIL JAATI HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-101

PLANET-EARTH

PLACE- MINAKSHI MANSION

VICKY..............!!!!!!!!!!!!!!!!!!

is awaaz ke saath mere dad uth gaye....

MOM-kya hua ji.......koi bura sapna dekha kya?????

Mom ke sawal par dad ne kuch jawab nahin diya.unke chehre par halki tention abhi bhi dikh rahi thi...kai saare expressions unke face par aa jaa rahe the....

MOM- ye lijiye paani pijiye.....

mom ne jhat se baaju me rakhi jug se thoda paani glass me daala aur dad ki taraf badhaya...

ab tak dad ke senses kaafi hadh tak normal ho chuke the.unhone mom ke haath se glass liya aur paani peene lage.....

MOM-ab bataiye,kya hua tha???koi bura sapna dekha tha kya???

paani ka glass dad se lete hue mom ne pucha....

DAD- bura bhi aur ajeeb bhi......

MOM- bura bhi aur ajeeb bhi..matlab!!!!

DAD- maine sapne me dekha ki mai ek andheri jagah par khada hun...mujhe kuch bhi nazar nahi aa raha tha...

mai samajhne ki koshish kar hi raha tha ki mai kahan hun ki itne me mere kaano me ek awaaz gunji jisse sunkar mai chownk gaya...
aur wo isiliye kyunki ye awaaz aur kisi ki nahi VICKY ki thi....

har taraf faile andhere ki wajah se mujhe kuch dikh toh nahi raha tha par fir bhi mai awaaz ki disha me bhaage....

kuch der tak bhaagne ke baad achanak mere kadam rook gaye...

REASON...mujhse thodi hi door aage achanak ek ujala sa hua...par saamne ka scene dekhkar mai chownka bhi aur mera dimag kharab hone laga...

kyunki mere saamne is waqt VICKY khada tha...par wo meri tarah khuli jagah par nahi tha balki ek bade se pinjre ke andar tha....

mujh ko dekhte hi mere bete ne mujhe bahar nikalne ke liye kaha....mai bhaagte hue uske paas gaya aur usse housla dene laga.

maine us pinjre ko chaaron taraf se dekha.us pinjre me koi taala nahi tha..chaaron taraf bas salakhen hi salakhen thi...

mai un salakhon ko todne ke liye idhar udhar dekhne laga taaki unhe kuch mil jaaye par mujhe kuch bhi aisa nahi mila jisse mai un salakhon ko tod sakun...

fir kuch sochkar maine do salakhon ko pakda aur unhe ek dusre se door pull karne laga...

mere taakat lagate wo salakhen dhher dheere failne lagi.....

kuch hi der me maine do salakhon ko ek dusre se itna door kar diya tha ki VICKY unke beech se nikalkar baahar aa sakta tha....

maine VICKY se baahar aane ke liye kaha..VICKY bhi turant un salakhon ke beech se kisi tarah baahar aane laga....

jaise hi uski upper body salakhon se baahar aayi,usse pura baahar kheenchne ke liye maine apna haath VICKY ki taraf badhaya...

mere haath badhate hi VICKY ne bhi apna haath aage kar diya par jaise hi maine VICKY ka haath thaama,VICKY gaayab ho gaya.aur meri neend khul gayi....

MOM- ye ab bas ek sapna tha aur mujhe pata hai ki ye sapna aapko kyun aaya???

DAD sawaliya nazaron se mom ki taraf dekhne lage....

MOM- VICKY itne din humse door jo raha tha..VICKY ke ghar chhod kar jaane ke baad aapne us baare me baat tak nahi ki par mujhe pata hai ki aap din raat usske baare me sochte rehte the....

aur ab jab hamara beta wapas aa gaya hai tab bhi aapke man me uske ghar chhodne waali yaad taaza hai aur isiliye hi aapko aise sapne aa rahe hain...

dad kuch der tak mom ko dekhte rahe fir....

DAD-VICKY kahan hai???baahar gaya hai kya???

MOM- nahi wo ghar par hi hai.wo RONIT aur AVANTIKA apni kisi friend ki behen ke saath aayi hai toh unhike saath apne room me hai...

DAD- mai ek baar usse dekhkar aata hun...

dad ki baat sunkar mom bas muskura di...wo jaanti thi ki sapne ki wajah se dad ka dil ghabra sa gaya hai aur mujhe dekhne ke baad hi unhe chain aayega isiliye.....

MOM- chaliye,mai bhi chalti hun....

mom aur dad mere room ki taraf chal diye..

mom ne toh ye asuume kar liya tha ki dad ka dekha sapna bas unka dar tha par asal baat kuch aur thi..

darasal AVANTIKA ne jo meri urja ki chadar se dad ko ghera tha,ussi urja ke prabhav ki wajah se dad ke dimag me ye sapna aaya tha..

jin salakhon ke andar dad ne mujhe kaid dekha tha wo salakhen asal me ASMODEUS ka wo khoon tha jisne mere dimag ko kaid kiya hua tha...

aur jis waqt dad ne apna haath mujhe kheenchne ke liye aage badhaya ye wahi waqt tha jab dad ke khoon ne mere sir ko chua tha jiski wajah se ASMODEUS ka khoon kaale dhuen ki shakl me baahar aa gaya tha..

jaise hi ASMODEUS ka khoon mere dimag se baahar aaya aur meri aankhen khuli,thik ussi waqt sapne me wo salakhen jinke andar me kaid tha,wo gaayab ho gayi aur uske saath mai bhi azaad hokar gayab ho gaya tha...

IN MY ROOM

TUMHE MERE SAAMNE JHUKNE KI ZAROORAT NAHI HAI ANALIA....

RONIT aur uske baad AVANTIKA se milne ke baad meri nazar ANALIA ki taraf ghumi jo ek tak mujhe hi dekhe jaa rahi thi..

jaise hi maine uski taraf dekha,wo apne ghutno par baithne ke liye hui par maine usse aisa karne ke liye mana kar diya....

MAI- maaf karna ANALIA.....maine apni pareshani me tumko bhi shaamil kar liya....mai aisa karna nahi chahta tha par us waqt mere paas aur koi raasta nahi tha...

ANALIA- aisa mat kahiye LORD....ye humari khushkismati hai ki hum aapke kisi kaam aa sake....aur hum toh khud aapse milna chahte the....

MAI- aur yahi wo wajah hai jiski wajah se mai tumse maafi maang raha hun....

V.J ki baat AVANTIKA ko chhodkar kisi ko samajh me nahi aayi....

ANALIA- hum samjhe nahi.....

ANALIA ki baat sunkar maine AVANTIKA ki taraf dekha jo is waqt meri taraf hi dekh rahi thi....

MAI- sorry AV.....

AVANTIKA-sorry!!!kyun???jo bhi tumne kiya wo tumse zyada ANALIA ke liye faaydemand hai....

RONIT- koi mujhe bhi batayega ki kis baare me baat ho rahi hai....

MAI-hum ANALIA ke yahan aane ki asli waah ke baare me baat kar rahe hain....

jahan meri baat sun ANALIA ko sharm aa gayi wahin RONIT jo mere wapas aane ki khushi me sab bhool gaya tha,uske dimag me bhi ANALIA waali baat click hui....

RONIT- arre haan,wo baat toh mai bhool hi gaya tha..aur ab jab tu thik hai,toh tujhe toh ANALIA ke feelings ke baare me bhi pata chal gaya hoga....

MAI- haan,mujhe pata hai....par asal me ANALIA ke man me jo mere liye feelings hain........

AVANTIKA-WO EK JHOOTH HAI....

meri baat ko AVANTIKA ne complete kiya par us baat ke complete hote hi jahan RONIT ko ek jhatka laga wahin ANALIA,jiska sir haya ki laali ki wajah se neeche tha,wo ek jhatke me upar uth gaya...

RONIT- abbe kya bol rahe ho...feelings jhooth hai matlab???

MAI- MATLAB ANALIA KE DIL ME JO EHSAAS HAI JO USSE BATATA HAI KI WO MUJHSE PYAR KARNE LAGI HAI,WO JHOOTH HAI....

ANALIA MUJHSE PYAR NAHI KARTI....

meri baat sunkar jahan RONIT ko laga jhatka double ho gaya wahin.......

ANALIA- nahi...humare jasbaat jhuthe nahi hain LORD....hum sachmuch aapse prem karte hain....

ANALIA ki baat sun mai muskura utha..aisi hi ek muskurahat is waqt AVANTIKA ke chehre par bhi thi....

RONIT- abbe tum dono daant dikhana chhodo aur is matter ko clear karo.

MAI-DAD......

RONIT- abbe ab ye dad kahan se beech me aa gaye....

MAI- aa gaye nahi aa rahe hain..dad aur mom dono room me aa rahe hain....unke jaane ke baad baat karte hain....

yahan meri baat khatm hui,wahan mere room ke door par knock hua....

RONIT door ke sabse karib tha isiliye usne door khola...jaisa ki maine kaha tha,is waqt door ke saamne haathon me coffee ki tray liye mere dad khade the aur unke saath mom khadi thi...

door khulte hi dono andar aa gaye....jahan mom bas khadi rahi wahin dad tray ko rakh mere saamne aakar khade ho gaye aur agle hi pal unka haath mere maathe par tha...

aisa lag raha tha maano wo mera temperature check kar rahe hon....

MAI- my health is fine dad.......

mai jaanta tha ki dad apne sapne ki wajah se pareshan hain.ab na toh wo directly us baare me mujhse kuch
puch sakte the aur naa hi mai kuch bata sakta tha isiliye.....

DAD-beta tu itne din DELHI me raha,wahan tujhe kisi ne pareshan toh nahi kiya naa..agar koi problem hui hai toh mujhe bata,i will sort it out.....

mai kuch der tak dad ko dekhta raha fir....

MAI- ek problem hai dad....

jahan meri baat sun dad ke chehre ki pareshani aur badh gayi wahin mom jo ab tak casually hum dono ki baat sun rahi thi,wo bhi alert si ho gayi aur dad ke baaju me aakar khadi ho gayi.....

DAD- kya problem hai beta....just tell me,i'll deal with it....

MAI- pakka!!!!

DAD- tujhe apne baap par shak hai kya???

MAI-hmm...aapke chehre par jo ye tention dikh rahi hai naa,yahi meri problem hai...isse hata lijiye,them i am fine.....

meri baat sun jahan mom relax ho gayi wahin....

DAD-tujhe meri tention ki itni hi fikr hoti toh mujhe chhodkar tu DELHI nahi chale gaya hota....

waise toh dad apne emotions kabhi show nahi karte par abhi jo unhone kaha,wo bolte waqt unki awaaz bhaari ho gayi thi jisse sunkar mai turant unke pairon me jhuk gaya.....

MAI- sorry dad...it wont ever happen again....

dad ne mujhe kandhe se pakad utha liya aur mujhe gale laga liya...mom bhi is hug me shaamil hona chahti thi par unhe ye waqt bas ek pita aur bete ka laga isiliye wo wahin khadi rahi....

DAD MAN ME- kuch din pehle bhi maine VICKY ko gale lagaya tha par tab me aur ab me bohot fark lag raha hai....

us din lag hi nahi raha tha ki mai apne bete ko gale laga raha hun par aaj dil ko ek sukoon sa mil raha hai....

mai dad ki man me chal rahi baaton ko sunkar muskura utha..waise meri feeling bhi mutual thi....

mujhe bhi aaj dad ko hug karke bohot light feel ho raha tha....

kuch der tak mujhe yunhi gale lagaye rakhne ke baad dad jab mujhse alag hue toh.....

DAD- ek baad hamesha yaad rakhna...maine naam,shohrat,paisa apne liye nahi kamaya,tere liye kamaya hai...

jab maine tujhe DELHI ke us hotel me ek waiter ke dress me dekha,toh ek pal liye mujhe aisa laga ki meri saari mehnat bekar ho gayi.....

mujhe aisa laga jaise mera sab kuch loot gaya hai...ek jhatke me mai ameer se garib ho gaya tha....mai dobara us feeling se guzarna nahi chahta.....

MAI-dad,meri sabse badi trophy aapki aur mom ki aankhon ki chamak aur honthon ki muskurahat hai....

kisi bhi cheez ke liye mai is trophy ko nahi kho sakta.....isiliye maine kaha ki it wont happen ever again....

dad ne pyar se mere sir par haath fera....

MOM- lo,aap dono ki senti baaton me mai jo coffee bachon ke liye laayi thi,wo thandi ho gayi....

DAD- tum laayi thi ki mai laaya tha...kabhi kabhi toh mujhe lagta hai ki meri jagah tumhe business sambhalna chahiye...

mujhe upar aata dekh tumne apna kaam bhi mujhse hi kara liya..ab hua na ye business mind....

senti baatein khatm hui nahi ki mom dad ki natural masti shuru ho gayi.....

MOM- business man toh aap hi hain...dekho kitni asaani se apni galti mujhpar daal di....

DAD- galti nahi madam,humne aapke gale me warmaala daala hai....humari mohobbat ka suboot aapko pehnaaya hai....

dad ki baat sunkar mom ke gaal laal ho gaye...

MOM- kuch bhi naa..dekhna bhi nahi hai ki kahan khade hain???bas shuru ho jaana hai....

DAD- arre apne hi bacchon se kaisi sharam..aur waise bhi humse hi toh humare bacche bhi apni future wife aur future husband se pyar karna sikhenge....

MOM- haan,yahi bacha tha apaka sikhana bacchon ko....chalo ab yaha se..bacchon,mai tumhare liye dusri coffee bhijwati hun....

DAD- arre,humare ghar me ye naya mehmaan kaun hain....

dad ne ANALIA ko dekh kaha....

fir AVANTIKA ne dad ka ANALIA se intro karaya..ANALIA dad se bhi waise hi mili jaise wo mom se mili thi jisse dekhkar dad ko bhi pehle shock laga par fir jab AVANTIKA ne dad se bhi wahi kaha jo sabse kehte aa rahi hai toh dad normal ho gaye......

sabse milkar dad aur mom room se baahar nikal gaye.....

RONIT- what was that all about???ye uncle achanak itne senti kyun ho gaye the???

mom dad ke jaate hi room lock kar RONIT ne pucha....

fir maine usse aur sab ko dad ke sapne ke bare me bataya aur us sapne ke aane ka reason bhi jisse sunkar sab normal ho gaye...

RONIT- i hope that's all right!!!i mean teri urja se unhe aur koi problem ya koi side effect toh nahi hoga naa!!!

MAI- nopes...tention mat le sab theek hai....

RONIT- toh ab.....!!!

MAI- ab mujhe kahin jaana hai....

RONIT- jaana hai!!!kahan????

par maine RONIT ko koi jawab nahi diya aur apni aakhen band kar li....

MAI man me- MAI AA RAHA HUN......

MAI AA RAHA HUN

KAWACH BHANGAM

.......AB..........

mere room me ek tez roshni hui aur jab wo roshni ghati toh mai gayab ho chuka tha...

RONIT- abbe saala......ab ye kahan gaya.....???

jahan mujhe yun achanak gaayab hota dekh RONIT aur ANALIA chownk gaye wahin AVANTIKA ke chehre par muskaan naach gayi jisse RONIT ne dekh liya...

RONIT- AVNI,tujhe pata hai ki V.J kahan gaya hai???

AVANTIKA- haan.....

RONIT- kahan???

AVANTIKA- apna farz pura karne.....

ANALIA- par humari baat toh adhuri reh gayi.....

RONIT- haan yaar.....

AVANTIKA- V.J jis kaam se gaya hai wo zyada zaroori hai...chinta mat karo,V.J jaldi hi aa jayega..fir jo puchna hai wo puch lena..

RONIT- yaar AVNI,tu bhi toh sab jaanti hai...tu hi bata de....!!!!

AVANTIKA- nahi yaar.ye sab V.J ne kiya hai..wahi bataye toh thik hai...

ANALIA- toh ab hum kya karen...???

RONIT- bhai sahab ka intazar,aur kya????

PLANET-ISLA

PLACE-INSIDE GODS BARRIER

MAI AA RAHA HUN......

KAWACH BHANGAM.....

.....AB.........

jaise hi dhyan me baithe DEFENDER ke kaano me MAI AA RAHA HUN,ye shabd gunje,unki aakhen khul gayi aur wo jhat se khade ho gaye.....

dusri awaaz jo ki mere dwara bola gaya SPELL tha,uske DEFENDER ke kanao me gunjte hi unke chaaron taraf faila GOD'S BARRIER SHIELD hat gaya....

jaise hi SHEILD hata ek ke baad ek do cheezen hui.....

pehli.....ek baar firse meri awaaz jisme maine AB kaha tha DEFENDER ke kaano me gunji,aur us awaaz ke gunjte hi.....

BANDHAM MUKTAM

CONFINEMENT RELEASE

DEFENDER ne apne haath failaye aur is SPELL ko uchharit kiya aur aisa karte hi DEFENDER ke haathon se shaktishaali rays nikle aur ISLA aur WARRIORS WORLD ke har taraf tezi se badhe....

DUSRA- jaise hi DEFENDER ke saamne se barrier hati,BEELZEBUB ko pata chal gaya aur agle hi pal wo DEFENDER ke saamne prakat hua....

BEELZEBUB- mai aa gaya.....

jahan ye bolte waqt BEELZEBUB ke chehre par ek zehrili muskaan thi wahin DEFENDER bhi halka halka muskura rahe the....

DEFENDER- toh intazar kis baat ka hai????waar karo...waade ke mutabik mai tumhare waar ko rokunga nahi.....

DEFENDER ki baat sun BEELZEBUB ko ghussa aa gaya..usse aisa laga jaise DEFENDER usse kuch bhi nahi samajhta aur isiliye.....

PRAAN GHAATHAM.......

LIFE ATTACK.........

BEELZEBUB ke hatheliyon me gaadhi tez chingariyan dikhne lagi....

BEELZEBUB ne apne dono hatheli ko saath me kiya jisse uski dono hatheliyon ki chingariyan aapas me mil gayi..

aisa hone se un chingariyon ki shakti doguni ho gayi.....

BEELZEBUB- alvida DEFENDER......

apni baat keh BEELZEBUB ne apne dono haathon ko aage kar diya.....

BEELZEBUB ke haathon se wo chingariyan tez gati se nikli aur DEFENDER ki tarf badh gayin...

waar kar BEELZEBUB apne dono haath kamar par tikaye khada muskura hi raha tha ki.....

ASAMBHAV...........

ye baat BEELZEBUB ke mooh se nikli thi....is waqt BEELZEBUB ki aakhen aisi thi maano abhi fat kar baahar aa jayengi....

wahin DEFENDER ab bhi waise hi muskurate hue khade the bas ek fark tha...

aur wo ye ki is waqt unke gale me pushpon ki ek badi si mala latki hui thi....

ye pushp aur kuch nahi balki wahi chingariyan thi jo BEELZEBUB ne DEFENDER ko maarne ke liye chhodi thi....

BEELZEBUB- ye..kaise ho...sakta.....hai????

BEELZEBUB ne atakte atakte apni baat kahi...

apne sawal ka jawab toh usse mila par us jawab ko sunkar ya fir ye kahun ki us jawab ko dene waali awaaz ko sunkar BEELZEBUB ke bache khuche hosh bhi ud gaye....

KYA TUMHE TUMHARE PITAH NE NAHI BATAYA THA KI JAB KISI KISSE ME ASMODEUS YA VIKRAM HOTE HAIN TOH KUCH BHI HO SAKTA HAI...

ye awaaz pure ISLA aur WARRIORS WORLD me gunji thi...

Impact itna zyada tha is awaaz me ki pura GRAH SETU tak kaamp utha aur us ke saath sath hil gaye uske andar moujud ISLA aur WARRIORS WORLD ke log....

un logon ko meri ye awaaz toh nahi sunayi di par us awaaz se paida hui kampan unhe apne niche ke zamin par mehsoos hui thi....

aur kisi ko toh nahi par ALESENDRA ko ho rahi kampan ke kaaran ka andaza ho gaya tha aur isiliye.....

ALESENDRA-VIKRAM AA GAYE.......

ALESENDRA ne ye baat zor se kahi thi jisse uske paas moujud sabhi ne sun liya tha...

mera naam sun wo sab mera naam pukarne lage aur dekhte hi dekhte pure ISLA aur WARRIOR WORLD ke vaasiyon ko andaza lag gaya ki mai vapas aa gaya hun....

wahin baahar BEELZEBUB meri awaaz sunkar bohot ghabra gaya tha bas saamne se usne apne aap ko mazboot dikhane ke liye kaha....

BEELZEBUB- toh sabke chahete LORD OF ANGELS aakhir aa hi gaye....

MAI- meri awaaz sunkar tumhe itni khushi milegi ye toh maine bhi nahi socha tha....

jab awaaz sunkar ye haal hai toh mujhe dekhkar tum kitne khush hoge.....

aur tumhari khushi me hi toh meri khushi hai mere bhatije......

aur issike saath BEELZEBUB se kuch hi door saamne safed dhuan ki ek chaadar si bichne lagi...

us safed dhuen ki chaadar se white rays nikalkar har taraf faile rahe the jiski wajah se ISLA aur WARRIOR WORLD me chaya andhera chhatne laga tha....

jaise hi saara andhera chata,saare white rays nikalna band ho gaye aur safed dhuan bhi ek jagah par aakar khudko sokhne laga....

jaise hi safed dhuan chatta,BEELZEBUB ko apne saamne ek lambe complete white dress me khada ladka dikhne laga... jo ki aur koi nahi mai tha....

mujhe dekhte hi DEFENDER apne ghutno par baith gaye par wo apni nazaren mujhse hata nahi paaye...

aur iski wajah ye thi ki is waqt mere chehre par ek aisa tej tha jisse ek taraf DEFENDER ko ek sukun sa mil raha tha wahin BEELZEBUB ko apne sharir me ek kasaavat si mehsoos ho rahi thi....

usse aisa lag tha jaise wo kabhi bhi mar jaayega...

BEELZEBUB aaj mujhe pehli baar mere pure LORD OF ANGELS ke roop me dekh raha tha par usse iska andaza nahi tha ki mera ye roop usse itni ghutan mehsoos kara sakta hai...

mai chalte hue uske paas jaane laga..jaise jaise mai uske kareeb jaa raha tha,waise waise uski haalat aur kharab hone lagi thi...

usse pata hi nahi chala ki kab wo apne ghutno par aa gaya tha.....uske chehre par ek dard ki lakir saaf dekhi jaa sakti thi...

aur jaise hi maine ek kadam aur aage badhaya......

BEELZEBUB- basssss................mai aur seh nahi paaunga....

BEELZEBUB ki baat ya fir ye kahun ki uski guhaar sunkar mai rook gaya....

MAI-jab taklif sehen nahi hoti,toh khud dusro ko kis adhikar se chot pahuchate ho....

maine apna tej kam kar diya jiski wajah se BEELZEBUB ki haalat sudharne lagi....

MAI- jao BEELZEBUB,kuch din aur jee lo....

BEELZEBUB- kya mere ek sawaal ka jawab denge....???

MAI- usse pehle tumhare us sawal ka jawab jaan lena chahiye jo tumhare man me yahan pichli baar aane par utha tha...

meri baat sun BEELZEBUB ko yaad aaya ki pichli baar jab wo yahan se gaya tha tabse hi uske man me ek sawal tha jiska jawab usse abhi tak nahi mila hai.....sawal yaad aate hi BEELZEBUB kuch kehne hi waala tha ki

MAI-kuch din pehle DEFENDER ko iska abhas ho gaya tha ki meri pehchaan paane ka tarika mil chuka hai....

(doston aapko yaad hoga ki DEFENDER ne ALESENDRA se kaha tha ki usse GRAH SETU se baahar jaana hoga,aur ALESENDRA ke reason puchne par usne usse kuch kaha tha...ye wahi wajah hai)

aur isiliye wo GRAH SETU se baahar aaye...kyunki wo jaante the ki mai thik hote hi yahan aane ki koshish karunga aur grah ke bandhe hone ki wajah se mujhe yahan pahunchne me pareshani hogi..

par DEFENDER tumhare bandhan ko asaani se tod sakte the....aur issi baat se paida hota hai tumhara dusra sawaal...

tum yahi puchna chahte the naa ki maine tum logon ke bandhan ko kaise toda jabki jis bandhan se tumne in do grahon ko baandha tha,wo ASMODEUS ki banayi SPELL se bana tha jisse ya toh khud ASMODEUS,ya fir uski ijazat se tum ya BHUVIKA hi tod sakti thi....

BEELZEBUB- jee....

MAI-maine tumhare dwara baandhe bandhan ko nahi toda balki DEFENDER ne toda hai....aisa nahi tha ki mai tumhare is bandhan ko tod nahi sakta tha..ISLA aur WARRIORS WORLD WHITE ENERGY waale grah hain...

aur har white energy waale desh me kitni bhi badi badha hone ke baawjud wahan pahunchna,meri liye koi badi baat nahi hai....

par agar mai tumhare bandhan ko todne ke liye is grah ke baahar se apni shakti ka prayog karta,toh uska asar yahan andar moujud GRAH SETU par bhi hota...

aur is waqt GRAH SETU me yahan ke log moujud hain,isiliye mai ye khatra nahi utha sakta tha....

par GRAH SETU banate waqt maine in do grahon ko DEFENDER ke saath jod diya tha...

in do grahon ki neev me DEFENDER ki shaktiyan mili hui hai....

tumhare SPELL ne sirf in grahon ko baandha tha,DEFENDER ki shaktiyon ko nahi jo yahan ke kan kan me hai.....

tumhare baandhe badhan ka aakhri chhor DEFENDER ki shaktiyon ke upar aakar rook gaya jisse DEFENDER ko hatana nahi tha,bas khud ke upar se dhakelna tha....

DEFENDER ke aage bas ek hi mushkil thi...GODS BARRIER jisse wo hata nahi sakte the par yahan aane se pehle maine usse hata diya..

GODS BARRIER ke hatathe hi DEFENDER ne tumhare bandhan ko khudke upar se dhakel diya....

BEELZEBUB ek tak meri baaton ko sune jaa raha tha.....usse tab hosh aaya jab meri awaaz dobara uske kaano me gunji....

MAI- ab toh mere bhatije ki jigyasa khatm ho gayi hogi...toh tum yahan se jaaoge ya thoda dard aur sehna hai....

mere bolne ki bas der thi,agle hi pal BEELZEBUB gayab chuka tha...

BEELZEBUB ke gaayab hote hi jaise mai palta,toh DEFENDER ko apni taraf dekhta paaya...

MAI- kuch puchna chahte hain aap DEFENDER???

DEFENDER- ji LORD...aapne BEELZEBUB ko jaane kyun diya???usse uski karni ki saza kyun nahi di....

MAI- ye itna bhi asaan nahi hai DEFENDER...agar mai BEELZEBUB ko maarne ki koshish karta toh usse pehle hi ASMODEUS usse gayab kar deta....

BEELZEBUB ko maarne ke liye ASMODEUS ko kamzor karna zaroori hai.....

khair,ye sab jaane dijiye,jaaiye,kaafi arsa ho gaya aapke logon ko GRAH SETU me bandh hue...sabko baahar le aayiye...

DEFENDER ne mere aage ek baar sir jhukaya aur GRAH SETU ki taraf mud gaye....

wahin GRAH SETU ke andar jabse sabhi logon ko mere aane ka andesha hua tha tabhi se sab badi besabri se mere un sab ke saamne aane ka wait kar rahe the...

wo sab tak taki lagaye GRAH SETU ke darwaaze ki taraf apna apna chehra kiya khade hua the ki tabhi.....

ek zordar garjana ke saath GRAH SETU ka darwaza khul gaya....

is waqt saare logon ke saamne DEFENDER khade the...

DEFENDER- chaliye,LORD OF ANGELS aap sab ko bula rahe hain....

mera naam sunte hi ALESENDRA,KING SOLOMON unki patni,LORD ALESENDAR aur dono grah ke sabhi log khush ho gaye...

sabhi mere naam ka shor machate hue GRAH SETU ke baahar aane lage...

mai bhi GRAH SETU ke paas aa chuka tha...

jaise hi sabki nazar mujhpar gayi,sabhi turant apne ghutno par aa gaye...

ALESENDRA,USKE MAATA PITA,LORD CRUSEDAR aur sabhi ke aankhon me is waqt khushi saaf dikh rahi thi.....

MAI- khade ho jaaiye....

maere bolte hi sab khade ho gaye...

MAI- mujhe maaf kijiyega..aap sab itne taklif me the fir bhi mai itni der se aaya hun...

ALESENDRA- aap maafi maangkar hume gunahgaar mat banayiye VIKRAM...hume andaza hai ki aapki apni pareshaani hogi aur wo pareshaani humari soch se bhi badi hogi aur issi wajah se aap nahi aa paaye..

par hum aap ka hriday se dhanyawaad karte hain ki aapne pehle si hi musibat ke waqt hamare aasre ke liye GRAH SETU ko surakhshit kar diya tha....

ALESENDRA ki baat par sabhi ne haami bhari aur ek baar fir se pura mahoul mere naam se gunj utha....

MAI- ALESENDRA,ummid toh sabhi ko mujhse thi,par jo bharosa tumne mujhpar dikhaya hai wo dikahana aasan nahi hota.....

tumse zyada sakaratmakta bohot kam logon me hoti hai.....

meri baat sunkar ALESENDRA bas muskura di....

mai baat toh sabhi grah waasiyon se kar raha tha par saath saath mere saare sharir se adrishya rays nikalkar dono grahon me fail bhi rahi thi...

un rays ki shakti ko aur toh koi nahi par DEFENDER zaroor feel kar paa rahe the...

DEFENDER mujhse is baare me baat karna chah rahe the par is waqt chup the par mujhse unke man ka sawaal chhupa nahi tha....

maine ek bar unki taraf dekhe aur fir....

MAI- maine aapke dono grahon ko apni urja se jod diya hai....ab aapke grah ko nuksaan pahunhane ke liye kisiko bhi pehle mujhe nuksaan pahunchana hoga....

meri baat sunkar dono grahon ke logon ki khushi double ho gayi....

MAI- ab aap sab nishchint hokar apna jeevan yaapan karen...ab aapko koi taklif nahi hogi....

ab mujhe ijazat dijiye.MOKALSAR,tum mere saath chal rahe ho.......

MOKALSAR,jo jab se GRAH SETU se baahar aaya tha,tabhi se apne doston ke paas jaane ko tadap raha tha...

wo ek aas lagaye meri taraf dekh raha tha aur jaise hi maine usse pukara MOKALSAR jhat se mere paas aa gaya.....

LORD CRUSEDAR,KING SOLOMON ALESENDRA uski mom sabhi mujhe rokna toh chahte the par wo jaante the ki mai kahan jaane wala hun isiliye kisine kuch nahi kaha aur mere aage apne haath jod diye....

maine ek baar muskurakar sabki taraf dekha aur agle hi pal mai aur MOKALSAR gaayab ho chuke the.....

PLANET-GLUTO

PLACE- PALACE HALL

KYA BAAT HAI...TU AAJ BADI KHUSH LAG RAHI HAI......

SHAILA is waqt apne pyar AKSHAANT ki taraf dekh rahi thi.aaj uska man bohot hi prafullit tha,uska chehra khila hua tha par is khushi ka reason wo khud nahi jaanti thi.

tabhi achanak saamne se aaye is awaaz se uski nazar saamne gayi....

SHAILA ke saamne is waqt BHUVIKA khadi thi...par aaj BHUVIKA ko dekhkar bhi SHAILA ki muskaan gaayab nahi hui ulta uski muskurahat aur badh gayi jisse dekh kar....

SHAILA- lagta hai tu bhool gayi hai ki tu is waqt kahan hai aur kin haalat me hai aur shayad tu ye bhi bhool gayi ki maine tujhe kya kaha tha????

ki jab jab bhi tu khush hogi,mei teri hasin ko tere rone me badal dungi....

ye bolte bolte BHUVIKA ke haathon me urja ke do gole dikhne lage jisse dekhkar SHAILA k chehre ki smile gayab ho gayi...

SHAILA jaanti thi ki usse chot pahucnhane ke liye BHUVIKA AKSHAANT par humla karegi...

SHAILA kuch bolne hi waali thi ki BHUVIKA ne un do urja ke golon ko AKSHAANT ki taraf chood diya aur agle hi pal.....

ASAMBHAV........

theek BEELZEBUB ki hi tarah BHUVIKA ke mooh se bhi ye shabd nikla...

reason....wo do urja ke gole usne AKSHAANT ke taraf chhode the,wo gole AKSHAANT ko chot pahucnhane ki jagah uske kaid ki rihayi ban gaye the...

jaise hi wo gole AKSHAANT se takraye,AKSAANT ka sharir jo akad kar hawa me latka hua tha,wo normal ho gaya aur agle hi pal AKSHAANT zamin par tha...

par itne dino tak lagatar akde hue khade rehne ki wajah se AKSHAANT khada nahi reh paaya aur ladkhada kar girne laga par tabhi....

do mazboot haathon ne usse sambhal liya...aur jaise hi AKSHAANT ki nazar usse sambhalne waale par gayi,toh uski khushi ka thikana nahi raha...

AKSHAANT- MOKALSAR...mere bhai...tu aa gaya.....

jahan MOKALSAR ko dekhar AKSHAANT khush ho gaya tha wahin AKSHAANT ki haalat dekhkar MOKALSAR ke aansu nikal gaye the...

MOKALSAR- mujeh maaf kar de mere bhai..tu itni mushkil me tha aur mai tujhe bacahane nahi aa paaya...

AKSHAANT- paagal hai kya??mai toh khud ishwar se dua karta rehta tha ki tu hamare jaisi musibat me naa pade....

MOKALSAR ne sahara dekar AKSHAANT ko uthaya aur fir dono bhai gale lag gaye...

jahan AKSHAANT ko kaid se azad dekh aur sath hi MOKALSAR ko dekh SHAILA ki khushi ka thikana nahi raha wahin BHUVIKA ka dimag kharab ho gaya....

BHUVIKA-MOKALSAR.....tu yahan kaise pahuncha???khair,ab tu bhi nahi bachega..teri haalat bhi mai AKSHAANT jaisi kar dungi....fir dono bhai ek dusre ke baaju me akde khade rehna....

BHUVIKA ki baat sunkar pehle toh MOKALSAR ko ghussa aaya par fir uske chehre par muskurahat aa gayi....

MOKALSAR-koshish kar ke dekh le....

MOKALSAR ki baat sunkar BHUVIKA ko ghussa aa gaya..usne apne dono haath failaye aur man hi man ek vidhwanshi SPELL ko uccharit kiya aur agle hi pal.....

BHUVIKA- ye kaise ho sakta hai??mere mantra kyun kaam nahi kar rahe hain...

BHUVIKA ne man me jo mantra bola,usse kuch nahi hua..uske baad BHUVIKA ne kayi SPELLS bole,par kisi bhi mantra ne kaam nahi kiya....

MANTRA!!!!BHUVIKA,MERI MARZI KE BINA NAA TOH TUMHARE HAATH KAAM KARENGE,AUR NAAHI HI PAIR....

jaise hi ye awaaz hawa me gunji,do chizen hui....

pehli.... AKSHAAT aur SHAILA ki khushi ka thikana nahi raha...

dusri....BHUVIKA ko apne ridh ki haddi me ek thandi leher doudti hui si mehsoos hui...iska kaaran wo bhi nahi jaanti thi fir bhi uska dil zor zor se dhadak raha tha....

BHUVIKA kuch kehti usse pehle hi usse thodi door upar hawa me antariksh ban gaya...

us antariksh me chote chote chaand,sitare,planets sab dikhne lage...

aisa lag raha tha maano bramhaand ka ek chota roop mahal ke diwaron ke just neeche ban gaya hai...

SHAILA,MOKALSAR,AKSHAANT aur BHUVIKA aankh faade is drishya ko dekh rahe the...ki tabhi......

saare grahon,upgrahon,stars ke beech mera chehra dikhne laga... aur jaise hi aisa hua,hawa me bane us chote se antariksh se bohot zyada maatra me WHITE ENERGY nikalne lagi...

wo saari WHITE ENERGY dheere dheere antariksh ke neeche ikattha hone lagi aur dekhte hi dekhte wo white energy ek bawandar ka roop lene lagi....

par ek ajeeb baat thi...us white energy ke bawandar se jo power realise ho rahi thi,usse SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT ko toh koi pareshani nahi ho rahi thi par BHUVIK ka dum ghutne laga tha...

kuch der tak bawandar apni jagah ghumne laga par fir achanak......

goli se tez speed se wo white energy ka bawandar BHUVIKA ki taraf lapka..kyunki BHUVIKA ka dum pehle hi ghut raha tha,isiliye usks dyhan us bawandar ki taraf nahi tha aur isiliye......

us bawandar ne BHUVIKA ko asaani se apne ghere me le liye...

AHHHHH....AHHHHH....AHHHHH.......

WHITE ENERGY se bani us bawandar me bohot zyada urja thi jisse BHUVIKA ki cheekh nikalne lagi....

kuch der tak wo bawandar yunhi BHUVIKA ko khud me lapete ghumti rahi fur achanak gaayab ho gayi....

BHUVIKA me ab bilkul bhi taakat nahi bachi thi....wo dhaam karke neeche gir gayi par abhi bhi uski ankhen aadhi khuli hui thi aur unhi adkhuli aakhon se usne dekha ki uske theek saamne ek dhuan utha aur us dhuen ke beech se mai baahar nikla....

MAI- jo ANTARIKSH ka chota sa bhaag tumne abhi dekha,un sab ko shakti mujhse hi milti hai...pure bramhaand ki urja jiise jeevit hai,tum ussiko maarne ka swapn dekh baithi BHUVIKA........

isse zyada BHUVIKA kuch bhi sun nahi paayi..uski aankhen band ho gayi..uski aankhen band hote hi wo gaayab ho gayi....

BHUVIKA ke gaayab hote hi mai SHAILA aur baaki dono ki taraf palta...AKSHAANT abhi bhi bohot kamzor dikh raha tha...

meri index fingure se ek white ray nikli aur AKSHAANT ke andar sama gayi...dekhte hi dekhte AKSHAANT ki saari energy waapas aa gayi.....

AKSHAANT ko wapas theek dekh MOKALSAR aur SHAILA khush ho gaye...

MAI-AKSHAANT,MOKALSAR,mujhe maaf kar do....meri wajah se hi tum dono itni taklif me the....

SHAILA- aap maafi mat maangiye VIKRAM..achhayi aur burayi ke beech ladhayi toh hoti hi rehti hai..par haan,mai ek baat ke liye tumse naazar hun...

MAI- maine BHUVIKA ko jaane diya,isiliye!!!

SHAILA ne haan me apni gardan hilayi...

maine kuch kaha nahi balki apna haath aage kar diya...mere haath se teen roshniyan nikli aur un teeno ke sir me sama gayi aur aisa hote hi....

un sab ke dimag ke andar ek film si chalne lagi...

jisse dekh kar ya yun kahun roobaroo hokar jab teeno ne meri taraf dekha toh teeno ke chehre par ghor aascharya tha...

MAI- aur koi sawaal.....

meri baat sunkar teeno kuch der tak mujhe dekhte rahe fir....

SHAILA- mujhe kuch kehna hai???

MAI- mai jaanta hun SHAILA ki tum kya chahti ho...aur agar tum aisa naa bhi chahti toh mai ye karne hi waala tha...

par abhi abhi tum teeno azaad hue ho aur saath hi azaad hue hain tumhare grah....

kuch din toh lagenge tumhe apne apne grahon ko punah thik se sanchalit karne me...

ek baar tum sab ke grah punah pehle ki tarah suniyamit tarike se chalne lage uske pashaat tum sab ko mere saath kahin jaana hai....

TEENO- KAHAN????

MAI-MIRROR WORLD.....

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V...J......
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM WARRIORS WORLD/ISLA KE LOGON KO BEELZEBUB SE AZAAD KARA DETA HAI AUR SAATH HI GLUTO JAAKAR SHAILA AUR AKSHANT KO BHI BHUVIKA KI GULAMI AUR BANDHAN SE CHHUDA LETA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-102

PLANET-EARTH

PLACE-V.J'S ROOM

YAAR,YE KAHAN REH GAYA??SAALE KO GAYE 1 GHANTE SE UPAR HO CHUKA HAI...KAHIN WAHIN SETTLE HONE KA IRADA TOH NAHI BANA LIYA!!!!!

YA FIRSE BINA BATAYE KOI NAYI JAGAH NIKAL LIYA HAI....SAALA IS BAAR BINA MUJHE LIYE KAHIN GAYA NAA,TOH CHHODUNGA NAHI USSE MAI.....

YAAR AVNI,ZARA APNA NETWORK TOH JOD USSE AUR PATA KAR KI KAMINA KAB AAYEGA......

AAYEGA NAHI AA GAYA.......

isse pehle ki AVANTIKA RONIT ke bakwaas ka koi jawab deti,mere room me meri awaaz gunj gayi.....

ANALIA aur RONIT is waqt couches par baithe hue the wahin AVNI meri photos ko dekh rahi thi jab meri awaaz un sab ke kaano me gunji....

awaaz sun jab teeno palte toh dekha ki mai apne bed par leta hua tha.....

MAI-saale,kya kya bakwaas kar raha tha tu..kitna baar tujhe bola hai ki jab shakal achi na ho naa toh kamsekam baatein achi karni chahiye....

RONIT- saale,teri aisi ki taisi......

ye bolkar RONIT mere upar kood gaya aur shuru hui hum dono ke beech WWE fight jisse dekhkar ek taraf AVANTIKA hase jaa rahi thi wahin dusri taraf ANALIA situation ko samajhne ki koshish kar rahi thi.....

is waqt mai RONIT ko ulta kar uske peeth me chadha hua tha aur uske dono haathon ko piche ki taraf mod kar pakad liya tha....

RONIT mujhe jhatka dekar khudke upar se uthane ki koshish kar raha tha par ab aisa bhi hone laga toh mai tohg hutne bhar paani waale naale me hi doob kar mar jaaun.....

ANALIA- ye dono ladh kyun rahe hain...aur RONITJI ko toh pata hai naa ki unke mitr kaun hain fir bhi wo unse bhid gaye...RONITJI ko chot lag jaayegi.....

AVANTIKA- V.J duniya ke liye LORD OF ANGEL hai,apne dost ke liye nahi....

aur rahi baat chot lagne ki toh V.J ke hote RONIT ko kuch nahi ho sakta....ye dono bachpan se hi aise ladhte aa rahe hain....

abhi dekhna RONIT pehle koi dialouge matlab koi baat kahega par jab V.J par uski baat ka koi asar nahi hoga toh uske baad V.J ko chhodne ke liye nivedan karega....

aur hua bhi waisa hi jaise AVNI ne kaha tha....kuch der tak V.J ko push karne ki koshish karne ke baad bhi jab koi result nahi nikla tab.....

RONIT- peeth par toh kaayar waar karte hain.....himmat hai toh saamne se ladh kar dikha.....

MAI- aur jispar waar kiya jaa raha ho,wo khud kaayar ho toh....khudki phatethe hi dialouge maarne lage toh janta hai kya karna chahiye.....ye.......

apni baat keh mai zor zor se RONIT ke peeth par kudne laga....

RONIT- aaahhh..mar gaya......saale............bhai chhod de yaar....mai haar gaya......

jahan ek taraf RONIT ki baat sun mai uske upar se hat gaya wahin ANALIA aur AVANTIKA hasne lage....

sidhe hone ke baad RONIT ne pehle un dono ki taraf ghur kar dekha,uske baad kuch der tak mujhe ghurne ke baad wo bhi hasne laga aur uske saath saath mai bhi......

RONIT- yaar,ek arsa ho gaya tha hume aise lade hue.....

MAI- hmm....par aaj bhi kuch nahi badla..tab bhi tu rota tha,aaj bhi tu rota hai...

meri baat sun RONIT ne firse mujhe ek baar ghur kar dekha fir hum dono saath hi dobara has pade....

haste haste achanak RONIT ko mere jaane se pehle kihuyi baatein yaad aayin aur jaise hi wo baatein uski maind me click hui,wo jhat se uth kar baith gaya....

RONIT- bhai,ab toh bata de ki ye maajra kya hai...ANALIA ke feelings ko tune aur AVNI ne fake kyun kaha.....

RONIT ki baat sunkar ANALIA bhi serious hokar meri taraf dekhne lagi....

MAI- kyunki wo feeling fake hi hai....ANALIA ke man me mere liye uth rahe jasbaat jhuthe hain....

ANALIA- nahi LORD.....humare man me aapke prati jo prem hai,wo swach aavum sacha hai...

mai aur AVANTIKA ANALIA ki baat sunkar muskura diye.....

MAI- kisi cheez ke sach hone aur sach lagne me ek fark hota hai ANALIA...par ye fark sirf wahi bata sakta hai jisse us cheez ki kahani ke piche ka har pehlu pata ho,jo tumhe nahi hai...

tum us kahani ka ek aisa hissa ho jo khudse jude ek bohot bade sach se anjaan hai....

meri baat na toh RONIT ko samajh me aayi aur naahi ANALIA ko....

RONIT- bhai teri ye hightech tecnology waali baatein hum logon ke samajh me nahi aati toh please asaan language me bata....

MAI-mere theek hone se kuch der pehle AV ne tum dono se khaas ANALIA ko lekar kuch kaha tha,yaad hai!!!!!!

ANALIA ko toh nahi par kuch der tak yaad karne ke baad RONIT ko AVANTIKA ki kahi baat yaad aayi......

RONIT- haan...AVNI ne kaha tha ki tune COURIS ped ke andar do kan daale the aur uske baad khaas ANALI ke upar koi SPELL bola tha....

RONIT ki baat sun ANALIA ko bhi AVANTIKA ki kahi gayi ye baat yaad aa gayi....

MAI- NISARGAPADWAM BHAVA

FEELING OF ATTRACTION

yahi wo SPELL tha jo maine ANALIA ke upar bola tha.....is SPELL se ANALIA ke andar mujhe dekh jo pehle se hi strong feelings mehsoos ho rahi thi,wo pyar ke ehsaas me badal gayi....

meri baat sunkar ANALIA shocked ho gayi...shocked toh RONIT bhi tha par saath hi uske man me ek naye sawaal ne ghar kar liya tha aur isiliye.......

RONIT- yaar,tune abhi kaha ki tujhe dekhkar iske man me pehle se hi strong feelings thi,uska kya matlab hai????kaisi feelings???

RONIT ke sawaal par mai muskura utha....

MAI- kya baat hai..har baat ke andar ek baat hoti hai,usse samajhne ka hunar aana chahiye...tujhe meri ye batayi seekh yaad hai...(TRAINING UPDATES)

meri baat sunkar RONIT bhi muskura utha...

MAI- haan,mujhe pehli baar dekhte hi ANALIA ke man me ek bohot hi strong aur shaktishaali ehsaas ne janm le liya tha.

ek aisa ehsaas jo naa hi positive tha aur naahi negetive,bas strong tha..aur aisa hone ki wajah khud ANALIA bhi samajh nahi paa rahi thi...haina ANALIA....!!!!!

ANALIA- ji....aapko dekhte hi hume ajeeb sa mehsoos hone laga tha...hum toh yahan tak bhool gaye the ki hum COURIOUS waasi hain aur sadiyon se shraap grast hain...

hume ek tadap bhi mehsoos ho rahi thi,aur saath hi ek sokoon bhi mil raha tha....par aisa lagne ki wajah hum samajh nahi paa rahe the...

MAI- aur maine ussi ehsaas ke beech apne AAKARSHAN SPELL ko daal diya tha....

mere COURIOUS se jaane ke baad wo feeling aur badhne lagi jiska natija ye nikla ki ANALIA ne mujhse milne ka faisla kiya...

yaad hai isne tum dono se kaha tha ki iske grah waasiyon ne isse hi mujhse milne ke liye isiliye chuna kyunki mai COURIOUS iski wajah se hi pahuncha tha...

RONIT- haan...

MAI- ye baat puri tarah se sahi nahi hai...ye baat toh iske grah vaasiyon ke dimag se nikal hi chuki thi..

ANALIA ne hi un sab ko ye baat ki mai uski wajah se COURIOUS pahunch paaya hun,yaad dilaya tha aur isiliye usse hi mujhse milne aur dhanyawaad kehne ka pehla hak banta hai....

mai sach keh raha hun naa ANALIA......

meri baat sunkar ANALIA ne apna sir neeche kar liya par usne waise hi apni baat kahi...

ANALIA- aapki saari baat sahi hai siwaye ek ki ki humara aapke liye prem jhootha hai..

mai ANALIA ki baat sun kar muskura diya..mai jaanta tha ki mere dwara uske dil me daala gaya jhooth uske liye toh sach hi hai...

jab tak mera jhooth uske andar rahega,usse uski bhaavnaayen sacchi hi lagengi aur isiliye.......

MANTRAYATI NISHBRABHAVAM

SPELL UNBOUND

mere SPELL bolte hi ANALIA ke sharir ko ek tez jhatka laga par isse pehle ki us jhatke ki wajah se wo disbalance hoti,uske baaju me khadi AVANTIKA ne usse sambhal liya....

ab ANALIA mere SPELL se azaad ho chuki thi aur issike saath khatm ho gayi thi uski mere liye attraction par abhi bhi ek cheez thi jo bachi hui thi.....kya!!!!ye ANALIA ki zubani hi sun lijiye......

SPELL se jo jhatka ANALIA ko laga tha,uski wajah se uska sir thoda bhaari ho gaya tha...

ANALIA ki aankhen band thi aur wo ab bhi AVANTIKA ke sahare hi khadi thi...

kuch der laga par fir ANALIA ne apni aakhen dheere se khol di...

wo ab bhi mujhe hi dekh rahi thi par is baar uska mujhe dekhne ke tarike me fark tha...

jahan pehle uski aankhon me mere liye pyar dikh raha tha,wahin ab uski aankhon me mere liye bas izzat thi....

MAI- ab bhi apni baat pe kaayam rahogi....

ANALIA ne naa me sir hila diya par.....

ANALIA-par ab bhi mere man me aapko dekhkar ek ajeeb sa aakarshan mehsoos ho raha hai...

ye wahi unsamjhi bhaavna hai jo maine aapko pehli baar dekhne par bhi mehsoos ki thi......

ye wahi cheez thi doston jo ab bhi ANALIA ke andar thi...mere prati ek strong connection....

MAI- mujhe pata hai ANALIA.....aur issi ansamjhi bhaavna ki wajah se hi maine tumhe chuna tha yahan mere paas aane ke liye....

ANALIA-hum samjhe nahi.....

MAI- sab samajh jaaogi....filhal mujhe aur AV ko kahin jaana hai......

RONIT- sirf tujhe aur AVNI ko....saale,tu fir mujhe chhod kar jaane ki baat kar raha hai???

MAI-jahan mai jaa raha hun,wahan tu nahi jaa paayega RONIT....aur AV ko bhi mai isiliye le jaa raha hun kyunki mujhe uski wahan zaroorat padegi....

RONIT- yaar,yahi toh baat hai...tune mujhe itna kuch sikhaya,fir bhi mai is kaabil nahi hun ki tere saath har jagah jaa paun...

mai toh is kaabil bhi nahi ban paaya ki khudko aur apne pyar ko bacha pata..

MAI- wo isiliye kyunki tera saamna negetive energy ke ek bohot bade shorth se hua tha jiske saamne koi bhi yodha tik nahi sakta...

RONIT- yahi toh mai mai keh raha hun???fir itni practice,aise yudh shailiyan sikhne ka kya faayeda,jisse hum khud tak ko naa bacha paayen....

kya koi aisa tarika nahi hai jisse mai har tarah ki shakti se naa sirf ladh paaun,par unse jeet bhi sakun.....

RONIT ki baat sunkar mai muskura diya..

MAI- teri aisi koi khwahish nahi hai mere bhai jo mujhse chupi hui ho ya fir mai puri na kar paaun....

kuch din rook,tujhe tere sawal ka jawab bhi mil jayega aur us jawab ko jeene ka mouka bhi....

bas sad mat ho,abhi filhal hum dono jahan jaa rahe hain,wahan se wapas aa jaayen,uske baad hum chaaron ko kahin jaana hai....

RONIT- kahan????

MAI-saath chal raha hai naa,pata chal jaayega.....filhal baahar chalo....

hum sab mere room se nikalkar niche ki taraf chal diye....mom kitchen me thi...unhe batakar ki mai baahar jaa raha hun,hum sab ghar se baahar aa gaye.....

MAI-jab tak hum dono wapas nahi aa jaate...tu ANALIA ko MUMBAI darshan kara de...

RONIT se apni baat keh maine apna haath AVANTIKA ki taraf badhaya jisse usne thaam liya..agle hi pal hum dono gaayab ho chuke the.....

RONIT- saala kab kya karta hai,ye koi nahi jaan sakta....chaliye madam,aapko mumbai darshan karwaate hain....

ANALIA ne bas haan me apna sir hila diya...RONIT apni bike laaya tha jo ki ANALIA ke liye ek nayi cheez thi....

bike par baith dono MUMBAI darshan ke liye nikal gaye.......

PLACE-TWISTED DIMENSION

YE HUM KAHAN AA GAYE....???AUR YE KAISI JAGAH HAI..........???
ARRE,YE LIGHT BALLS ITNI HIL KYUN RAHI HAIN.....

AVANTIKA ko lekar is waqt mai antariksh ke beech me khada tha...

jis jagah hum dono khade the wo antariksh ka ek ajeeb hissa tha...ajeeb isiliye kyunki humse door door tak bhi roshni ka ek halka sa kan bhi nazar nahi aa raha tha...

bramhaand ke is hisse me ek taara tak nahi jagmaga raha tha....kuch bhi nazar nahi aa raha tha,aur isiliye hi AVANTIKA ne pucha tha ki hum kahan aa gaye hain par tabhi......

mere sharir se ek ke baad ek kayi tez prakash waale light balls nikal kar har taraf failne lage....

par jaise hi wo light balls alag alag disha me jaakar rukne ko hue,wo puri tarah rook nahi paaye...

wo light balls asthir hokar hilne lage....

apne sawaal puch jab AVANTIKA ne meri taraf dekha,toh meri aakhon ko band paaya...

wo jaanti thi ki mai zaroor kuch kar raha hun isiliye mujhse nazar hata wo har taraf dekhne lagi.....

light balls ki wajah se ab wahan ke mahoul ko dekha jaa sakta tha...

ye dekhkar AVANTIKA ko shock laga ki bina kisi prakashit vastu ke bhi wahan kayi saare planets the...

haan ye sach tha ki un planets me life nahi thi,par fir bhi bina kisi surya ke kisi planet ka hona surprising tha.....

kuch der tak yunhi aankh band kare khade rehne ke baad maine apni aankhen kholi...mujhe pata tha ki is jagah ko lekar AVANTIKA ke man me kayi sawal uth rahe hain isiliye.....

MAI- waise toh is jagah ka koi naam nahi hai,par tum is jagah ko TWISTED DIMENSION keh sakti ho....

AVANTIKA jo is waqt dhyan se is jagah ko dekh rahi thi,meri awaaz sun wo meri taraf palti aur....

AVANTIKA- mai samjhi nahi....

MAI-is waqt hum UNIVERSE ke ek aisa chhor par khade hain jo UNIVERSE ka sabse ajeeb aur alag bhaag hai...

AVANTIKA- matlab!!!!

MAI- ye toh tum dekh hi rahi ho ki yahan kisi taare tak ki halki si timtimahat tak ki roshni nahi hai....

aur ye isiliye kyunki ye jagah har chiz ki disha mod deti hai.....toh jitne bhi taare aur baaki ke celestial chizen hain,wo is jagah ki sarhad par aakar dusre direction me twist ho jaate hain....

AVANTIKA-, oh,toh isiliye twisted dimension...aur isiliye tumne jo light balls har jagah chhode hain,wo itne hil rahe hain..

ye jagah un sabko yahan se door fekne ki koshish kar rahi hai....!!!!!

MAI- hmm...

AVANTIKA- par yahan bohot saare planets moujud hain..wo yahan kaise rook gaye..is jagah ne unhe kyun nahi feka....????

MAI- feka nahi par unki movement rok di....dekho,naa toh koi planet rotate kar raha hai aur naa hi revolve....

meri baat sun AVANTIKA ne wapas wahan moujud planets ko dekha...

AVANTIKA- arre is taraf toh mera dhyan hi nahi gaya....ye toh sach me naahi rotate kar rahe hain aur naahi revolve....

par ek baat batao,aisi weird jagah par hum kyun aayen hain????

MAI- jo mujhe karna hai,uske liye is jagah se behtar jagah nahi ho sakti...

AVANTIKA- mai samjhi nahi....!!!!yahan tum kya karna chahte ho....???

AVANTIKA ke sawal par maine kuch kaha nahi bas apna haath uske sir ke upar rakh diya....

mere sir par haath rakhte hi AVANTIKA ke sir par ek roshni ubhri aur agle hi pal AVANTIKA ko mere yahan aane ke kaaran pata chal gaye.....

reasons jaankar kuch der toh AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas mujhe ek tak dekhti rahi fir......

AVANTIKA- reasons toh mujhe pata chal gaya par tumne ye nahi bataya ki iske liye hum yahin par hi kyun aaye hain????

MAI- kyunki ye jagah sirf cheezon ko hi nahi dhakelti balki positive aur negetive energy ko bhi dhakelti hai....

aur wo isiliye kyunki ye universe ki ek maatr aisi galaxy hai jiske kisi bhi grah me jeeven nahi hai,manushya nahi hai...

ab jahan insaan hi nahi hon,wahan white aur black energy panap hi nahi sakti......

AVANTIKA- iska matlab is jagah ke baare me ASMODEUS ko nahi maalum....???

MAI- maalum hai,par matlab nahi...usse aisi jagah se kya matlab ho sakta hai jahan naa toh uski ENERGIES kaam karti hain aur naahi WHITE ENERGIES.....

isiliye uske dimag ka koi bhi kona is jagah se nahi juda hai.....

AVANTIKA- brilliant.....kya kya soch lete ho yaar tum....!!!!

MAI- ab aap toh kamse kam hamari taarif naa karen....

AVANTIKA- acha..toh fir hum kya karen,wo bhi bata dijiye....

MAI- humse pyar....

AVANTIKA- wo toh hum karte hi hain...

MAI-zuban se toh keh diya,ab zara paas aakar apni saanson ki mehek se apne ishq ki deewangi ko humare saanson se roobaraoo toh karwaiye...

AVANTIKA- itni unromantic jagah me bhi itni romantic baat....

MAI-mijaz me agar ishq ho toh fark nahi padta ki jagah kaun si hai....

AVANTIKA ek tak mujhe dekhne lagi par fir achanak uske dil me ek khayal ubhra....

ye khayal bas ek second ke liye aaya hoga jisse usne khud hi apne zehen se hata liya par us khayal ne mujhe asliyat me laa khada kiya.....

MAI- thanks AV......

mere mooh se thanks sun AVANTIKA chownki....

AVANTIKA- kisliye???

MAI- jis khayal ko tumhare dil ne tumhare dimag tak pahunchaya tha,uske liye...

AVANTIKA jhat se mere gale lag gayi.....

MAI- abhi ke liye ye hug hi kaafi hai..ab jo karne aaye the wo kar len,fir hume kahin jaana bhi hai....

meri baat sun AVANTIKA muskurate hue mujhse alag hui...

AVANTIKA-thik hai..par ab janab bhi bataayenge ki mujhe saath kyun laaye hain...

itna toh mujhe pata hai ki bina reason tum mujhe aisi jagah par laaoge nahi...isiliye jaldi se batao,whats my role....

MAI- smart girl...toh suno,abhi mai dhyan me baithne waala hun...dhyan me baithne kuch hi pal ke baad meri saari urja mujhse baahar aa jaayegi....

urja ke baahar aate hi mai ek SPELL bolunga......SPELL ke uccharit hote hi jo hoga,usse meri urja bhadak jaayegi...

aur us waqt meri urja mujhe bhi nuksaan pahunchane ki koshish karegi....

isliye mere SPELL bolte hi tumhe bhi apne kawach ko baahar nikalne ke liye ek SPELL bolna hai....

us SPELL ke uchharit hote hi tumhara kawach tumhare saath saath meri bhi body ko gher lega jisse mujhe meri urja nuksaan nahi pahuncha paayegi.....

AVANTIKA- par mai kaise SPELL bolungi??? i mean tumhari urja ki wajah se mujhe SPELLS aate the,par ab jab tumhari urja wapas tumme sama gayi hai,toh mai fir se pehle ki tarah normal ho gayi hun...

a girl without any power & the knowledge to use SPELLS.....

MAI- a girl without without power but a girl with the strongest shield in the universe....

tumhare paas kuch ho naa ho,is bramhaand ka sabse shaktishaali kawach hai...

jiska tum jab chaahe jaise chaahe istamal kar sakti ho,bas tarika pata hona chahiye ya fir ye kahun ki correct SPELL pata hona chahiye jo mai tumhe bataunga ..

aur rahi knowledge ki baat toh mere sath rehte tum kisi bhi SPELL ko bolne aur istemal me laane ke liye capable ho...

tumhare kahe gaye SPELL ko mai tumhare kawach se jod dunga aur fir tum us kawach ka use kar paaogi.....

AVANTIKA- ok....lets start then...whats the SPELL????

KAWACHAM PARIVARANAM

SHIELD COVER

AVANTIKA- aur is SPELL ko mujhe kab bolna hai????

MAI- jab ye ray tumhare sir ko touch kare....

ye bol maine apna haath aage kiya...mere haath se ek white ray nikli aur AVANTIKA ke sir ke upar pahunch kar theher gayi....

MAI- so am i understood!!!!kyunki ek baar mai dhyan me baitha aur meri urja baahar ayi,uske baad mai tab tak kuch nahi kar sakta jab tak mai tumhare kawach se protected nahi hun....

AVANTIKA- dont worry...mujhe SPELL yaad hai.....jaise hi ye ray mere sir ko chuewegi,mai SPELL bol dungi...rest u better know....

MAI- cool...lets start then.....

agle hi pal mai wahin antariksh ke beech paalthi maar aakhen band kar ke baith gaya..

mera dekha dekhi AVANTIKA bhi meri hi tarah baith gayi,bas fark itna tha ki uski aankhen khuli hui thi jinse wo mujhe dekh rahi thi....

mere dhyan me baithne ke kuch hi palon ke baad mera sharir tez chamakne laga...

mere sharir se nikalne waala tez bohot zyada tha par AVANTIKA mujhe aasani se dekh paa rahi thi...aur iski wajah thi wo ray jo is waqt AVANTIKA ke sir ke upar thi jo ki meri hi urja ka hissa tha.....

kuch der tak mere pure sharir se tej nikalta raha,par fir wo tej jo ki asal me meri urja thi,mere sharir se baahar nikalne lagi aur kuch hi palon me meri urja mujhse thodi door jaakar rook gayi....

jaise hi meri urja mujhse baahar aayi,ek ke baad ek do chizen hui ya fir ye kahun ek ke baad ek do SPELLS uccharit hue.....

UDDHARAGRAHATI ZAKTI PRAKATI KAROTI

BORROWED POWER UNFOLD

pehla SPELL mere mooh se nikla......

aur agle hi pal.......

KAWACHAM PARIVARANAM

SHIELD COVER

mere urja ke mere sharir se baahar nikalte hi AVANTIKA ke sir ke upar jo ray tha,wo uske sir me sama gaya...

aisa hote hi AVANTIKA ki aakhen band ho gayi aur agle hi pal uske honthon se wahi SPELL uccharit hua jo maine usse bolne ke liye kaha tha.....

mere SPELL uccharit hote hi mere andar se kuch baahar nikla aur us chiz ke baahar nikalte hi meri urja ne usse kheench liya...

par jaise hi wo chiz aur meri urja ne ek dusre ko chhua,wahi hua jo maine kaha tha...

meri urja disbalance ho gayi....disbalanced ho wo wapas meri taraf badhi par isse pehle ki wo mujhe chhuti,AVANTIKA ke kahe SPELL ki wajah se uske andar se uski SHIELD ek white ray ki chaadar ke roop me baahar aayi aur usne mujhe aur AVANTIKA ko apne ghere me le liya...

aur jaise hi meri urja ne AVANTIKA ke SHIELD ko chhua,wo shaant hone lagi aur dheere dheere puri shaant ho gayi...

jaise hi wo shaant hui,wo cheez jisse meri urja ne kheencha tha,wo meri urja ke saath mil gayi.....

urja ke firse balanced hone aur us chiz ke usse mix hone ke baad meri aakhen khul gayi..

meri aakhen khulte hi AVANTIKA ki shield jisne mujhe ghere hue tha,wo hath gayi....

shield ke hatathe hi meri urja mere andar wapas sama gayi..

urja ke samate hi meri aakhen kuch seconds ke liye band ho gayin aur fir khul gayi...

maine apna haath aage kiya,AVANTIKA ki SHIELD jo ab sirf uske chaaron taraf ghum rahi thi,mere ishara karte hi wo uske andar chali gayi aur agle hi pal AVANTIKA ki bhi aakhen khul gayi.....

aankhen khulte hi jab usne mujhe uski taraf muskurata hua dekhte paaya toh wo bhi muskura uthi....

AVANTIKA- kaam hua????!!!!!!

MAI-ek hua, ek baaki hai.....usse karne ke liye hume kal fir yahan aana hoga....

AVANTIKA- kal kyun,abhi hi kar lete hain naa..

MAI- nahi..us kaam me zyada waqt lagega..aur abhi hume kahin jaana hai par usse pehle ek aakhri kaam nipta lun...

ye bol maine apni aakhen band ki..agle hi pal mere dimag se kuch rays nikli jo asal me mere yahan ki yaad thi..

wo yaad jisse maine abhi abhi jiya tha.....

rays nikalkar mere saamne aakar rook gayi....fir maine apna haath AVANTIKA ki taraf kiya..mere jaise hi rays uske dimag se bhi nikal kar mere rays ke saath aakar rook gaye.

unke rookte hi maine apne haath aage kiye..mere haatho se ek shield ray nikli aur usne mere saamne moujud rays ko chaaron taraf se gher liya....

MAI- done....ab chalte hain...

AVANTIKA-ye sab kya tha???

fir maine AVANTIKA ko jo maine kiya aur kyun kiya,wo bataya...

AVANTIKA-oh.... cool then..lets go...

AVANTIKA ki baat khatm hote hi hum dono gaayab ho chuke the....

PLANET-EARTH

PLACE-MALL

YAAR SUBAH SE SHAAM HONE KO AAYI HAI...YE DONO ABHI TAK AAYE NAHI.....

JAATE WAQT V.J NE KAHA THA KI USKE LOUTNE KE BAAD HUME KAHIN JAANA HAI...LAGTA NAHI HAI KI JAHAN BHI HUME JAANA HAI,WAHAN HUM AAJ NAHI JAA PAAYENGE....

shaam ke 4 baj rahe hain....mumbai ke kuch achi jagahon ko dikhane ke baad RONIT ANALIA ko lekar filhal ek maal
aaya hai jiske cafeteria me dono is waqt baithe hue hain....

ANALIA-LORD kisi zaroori kaam se gaye hain...waqt lagna toh aam baat hai.....jab bhi unka kaam samapt hoga,wo aa jayenge....

RONIT- haan,ye bhi hai....

ANALIA- kya hum aapse kuch puch sakte hain???

RONIT- haan haan,bindas pucho.....

RONIT ne jo burger haath me pakda hua tha,uska ek bada sa bite lekar kaha.....

ANALIA-kya aapke grah me sabhi aapke jitna hi khaate hain....

kho kho kho kho.......

ANALIA ki baat sunkar RONIT ko khaansi aa gayi....wo kuch kehta usse pehle hi.....

NAHI ANALIA....LAGATAR KUCH NA KUCH THUSTHE REHNE KA VARDAAN SIRF HAMARE RONIT BHAI SAHAB KO MILA HAI....

ye awaaz aur kisi ki nahi meri thi.....

awaaz sunte hi RONIT palta aur mujhe dekhkar usne mooh bana liya....

RONIT-lo,aa gaya mere khaane ke sabse bada dushman...kya ANALIA,tumhe mere khaane ke baare me bolne ke liye yahi time mila tha kya???

MAI-abbe,wo kisi aur time me bhi bolti naa,toh bhi tu us waqt kuch na kuch thoosatha hua hi milta......

jahan meri baat par mai aur AVANTIKA has diye,wahin RONIT ka mooh ek baar firse ban gaya aur ANALIA hume apne aakhon me sawal liye dekhne lagi.....

ANALIA- kya hua??humne kuch galat kaha kya????

AVANTIKA- arre nahi yaar.in dono ka ye sab chalta rehta hai.....

RONIT- hum dono ka chhod,pehle ye batao ki tum dono kahan gaye the aur aane me itni der kaise ho gayi????

MAI- bataya toh tha ki kuch imp. kaam tha...ab kya,ye tujhe baad me pata chal jaayega...ab ye sab chhod,filhaal hume kahin nikalna hai....

RONIT- ab ye toh kamsekam batade ki hume kahan jaana hai???

MAI- bhai mere,tu bhi saath chal raha hai..khud dekh liyo....ab niklo yahan se....

MAI aur AVANTIKA aage aage nikle aur humare piche piche ANALIA aur RONIT aane lage....

hum sab mall ke basement me pahunche jahan is waqt naa ke barabar log the...

ek jagah pahucnchkar mai rook gaya..mere rookte hi baaki ke teeno bhi mere aaju baaju rook gaye....

RONIT- ab......

RONIT ke ab bolte hi mere body se teen invisible rays nikli aur un teeno par padi....

aisa hote hi teeno ek saath meri taraf kheencha se gaye aur agle hi pal mai un teeno ko liye gaayab ho chuka tha....

PLANET- MONSLICKEL

PLACE-ASMODEUS PALACE

FATHER,YE KAISE HO SAKTA HAI????MERA MATLAB MAI JAANTA HUN KI VIKRAM BOHOT SHAKTISHALI HAI,HUM DONO MILKAR BHI UNSE LADNE KE LAAYAK NAHI HAIN,KINTU FIR BHI HAMARE ANDAR BHI KAAFI SHAKIYAN HAIN....

ISKE BAAWAJUD HUM UNKE SAMAKSH KUCH DER KHADE TAK NA REH PAAYE.....

BHUVIKA-haan DEVIL LORD...mai aur BEELZEBUB toh ek dusre se jude hue hain...fir jab VIKRAM iske paas pahuncha,isse taklif pahunchayi toh mai isse kyun mehsoos nahi kar paayi....

fir wo mere saamne aaya,aur mai uski WHITE ENERGY ko jhel hi nahi paayi.....jabki mere andar bhi WHITE ENERGY hai....fir aisa kyun hua????

BEELZEBUB ki baat ya fir ye kahun ki uske sawal ko BHUVIKA ne aage badhaya.....

toh hua ye ki BEELZEBUB toh khud VIKRAM ke saamne se gaayab hokar MONSLICKEL pahuncha tha wahin
BHUVIKA ko ASMODEUS ne gayab kar khudke paas bulaya liya tha...

par dono ke ASMODEUS ke paas pahunchne par ek chiz common thi aur wo ye ki dono hi yahan behoshi ke aalam me pahunche the...

reason....jahan BHUVIKA GLUTO me hi VIKRAM ki shaktiyon ko naa jhel kar behosh ho chuki thi wahin BEELZEBUB jab VIKRAM ke saamne se gaayab hua toh wo behad kamzor tha...

aur gaayab hone ke liye usne apni bachi khuchi urja ka istemal kar diya isiliye MONSLICKEL pahunchte hi wo behosh ho gaya...

ASMODEUS chahta toh un dono ko turant apni urja se hosh me laa sakta tha par usne aisa kiya nahi kyunki

VIKRAM ki urja ki chapet me aane ki wajah se BHUVIKA aur BEELZEBUB ke sharir behad kamzor ho gaye the,agar aisi haalat me ASMODEUS unpar apni urja ka use karta toh iska ulta asar padta....

ASMODEUS ke aisa karte hi wo dono ek lambi behoshi me chale jaate jinse ASMODEUS unhe nikal toh leta par usme thoda waqt lagta aur aisi chizon ke liye wo apna time waste nahi karna chahta tha....

isiliye ASMODEUS ne dono ko apne haal par chhod diya..kuch ghanton ke baad jab VIKRAM ki urja ka prabhav kuch kam hua ...aur tab jaakar BEELZEBUB aur BHUVIKA ko hosh aaya.....

hosh me aate hi dono turant ASMODEUS ke saamne apna dukhda lekar pahunch gaye jisse ASMODEUS muskurate hue sun raha tha....

aur jaise hi dono ke sawal khatm hue,

ASMODEUS- pehle mere ek sawal ka tum dono jawab do...agar tum dono milkar mujhse mukalbla karo toh kya hoga!!!!

BEELZEBUB-ladhna toh door ki baat hai,shastra uthane ya MANTRA uccharan karne se pehle hi hum dono mar jaayenge.....

ASMODEUS- toh VIKRAM ke saamne tum dono kisi aur anjaam ke baare me kaise soch sakte ho....

aur BEELZEBUB.....tumhe itna toh pata hi hai ki tumhari shakti mujhse hai jabki meri aur VIKRAM ki shakti GOD se.....

aur ye fark kaafi hai tumhare samajhne ke liye ki tumhare saath jo hua hai,wo toh hona hi tha...

aur BHUVIKA,tumhe toh ab VIKRAM ke naam ki chinta karne ki zaroorat hi nahi padegi....

ASMODEUS ki baat sun BHUVIKA ko samajh me nahi aayi aur isiliye....

BHUVIKA- aisa kyun DEVIL LORD????

BHUVIKA ke sawal par ASMODEUS ne kuch kaha nahi bas muskura kar BEELZEBUB aur BHUVIKA ko palatne ka ishara kiya...

ASMODEUS ke ishare ko samajh BEELZEBUB aur BHUVIKA palte par unke saamne kuch bhi nahi tha....

BHUVIKA aur BEELZEBUB dobara palatne hi waale the ki achanak

DONO-YE SAB KYA HAI.....???????

jahan dono ke mooh se ye baat ek saath nikli wahin ASMODEUS ke chehre ki muskaan aur gehri ho gayi.....

toh hua ye ki jaise hi dono palatne ko hue,thik ussi waqt un dono ke saamne darbaar ke dono side ek saath alag alag jagah par bohot saare dhuen uthne lage....

aur isse pehle kii BEELZEBUB aur BHUVIKA ASMODEUS ki taraf wapas palat in sab ke hone ka kaaran jaan paate,wo kaaran unke aakhon ke saamne clear ho gaya jisse dekhkar ek baar firse BHUVIKA aur BEELZEBUB shocked ho gaye.....

reason....is waqt unke saamne darbar ke dono side me line se bohot saare ANGELS khade the.....

BEELZEBUB ko toh ye samajh me hi nahi aa raha tha ki ANGELS me itni himmat kahan se aa gayi ki wo sab ASMODEUS ke saamne aane ki zurrat kar bathe....

wahin BHUVIKA situation ko samajhne ki koshish kar rahi thi...dono apne apne khayalon me khoye hi the ki unke saamne ek baar firse teen dhuen ke gubbar se uthe aur jab wo gubbar chate toh us jagah par teeno GODS MESSENGER khade the......

teeno MESSENGERS ne ek baar ASMODEUS ki taraf dekha jo unhe hi dekh raha tha aur fir teeno ek side me hokar khade ho gaye....

wahin BEELZEBUB pehle toh GODS MESSENGER ke roop me aaye is naye jhatke se samabhalne ki koshish karne laga aur jab wo normal hua toh.....

BEELZEBUB- tum teeno ki itni himmat ki yahan mere FATHER ke saamne aane ki gustaakhi kar baithe aur saath saath apne ANGELS ki toli bhi le aaye...

tumhe kya lagta hai ki ye sab milkar bhi tumhe mere aur FATHER ke kahar se bacha paayenge.....

tumhe yahan aane ka dand..............

isse aage BEELZEBUB kuch bol nahi paaya....kyunki isse pehle ki uski baat khatm hoti,dobara usse kuch door jahan kuch der pehle GODS MESSENGER khade the,wahan par ek dhuen ki chaadar si ban gayi aur isse pehle ki is chiz par BEELZEBUB kuch react karta,dhuan chattne laga.....

jaise jaise dhuan chatne laga,BEELZEBUB aur uske saath khadi BHUVIKA ki halat kharab hone lagi.....

dono ne turant palat kar piche dekha..ASMODEUS apne singhasan se khada ho chuka tha aur uski aankhen bhi saamne hi tiki hui thi.....

isse pehle ki un teeno me se koi kuch kehta,pure hall me ek awaaz gunj gayi......

KAISE HO ASMODEUS,MERE BHAI!!!!!!!

ye awaaz meri thi....jo dhuen ka gubbar aakhri me utha tha usse mai,AVANTIKA,RONIT aur ANALIA hi prakat hue the....

jaise hi mai prakat hua saare ANGELS aur GODS MESSENGERS ke sir jhuk gaye....

ASMODEUS-ASMODEUS ki duniya me swagat hai mere bhai....

jaise hi ASMODEUS ki baat khatm ki,hum chaaron ke upar ek chota sa badal ban gaya aur us badal se hum charon ke upar phoolon ki varsha hone lagi....

jahan ye sab hota dekh AVANTIKA normal thi wahin khud ko ASMODEUS ke saamne ussi ke grah,ussike mehel me dekh RONIT hairan tha aur ANALIA thodi dari hui thi...

wahin kuch der pehle mujhse hue saamne me hui haalat ki wajah se BHUVIKA bhi mujhe firse saamne dekh dari hui thi....

abhi tak naa toh uski nazar ANALIA par gayi thi aur naahi ANALIA ne usse dekha tha....

MONSLICKEL ASMODEUS ka niwas sthaan tha..iski ek khasiyat ye bhi thi ki yahan aane waale ke baare me saari baatein ASMODEUS ko pata chal jaati thi aur isiliye hi maine TWISTED DIMENSION me apni aur AVANTIKA ki wahan ki yaad apne shield ke andar rakh chhod di taaki uske baare me ASMODEUS ko kuch bhi na pata chale....

par ASMODEUS ke mahal me kadam rakhte hi meri baaki ki baatein ya fir ye kahun ki meri saari plannings jo maine uske khoon ke prabhav se khudko bachane aur nikalne ke liye kiya tha,wo ASMODEUS ke dimag me reveal ho gaya jisse jaante hi.....

ASMODEUS- appratim......kya baat hai mere bhai,itne kam waqt me tumne itna kuch soch liya tha....

jitna waqt mujhe laga tha tumhare liye karagaar banane ke liye,tumhe toh usse bhi kam waqt laga us karagar ko todne ke liye....

MAI-taarif toh meri bohoton ne ki hai,par tumhare mooh se sunkar accha laga....ab jis kaam se aaya hun wo kar lun....

meri baat sunkar ASMODEUS muskura utha...

MAI-BHUVIKA......

meri awaaz sunkar BHUVIKA hadbada si gayi.....

MAI- ghabrao mat..mai yahan tumse hi milne aaya hun ya fir ye kahun ki tumhe kisise milane aaya hun.....

meri baat BHUVIKA ke palle nahi padi..wo aakhon me sawaal liye mujhe dekh rahi thi...

MAI- mai tumhe inse milane laaya hun...

apni baat maine ANALIA ke kandhe par haath rakh kar kahi thi...ANALIA,jo abhi bhi ek tak thodi dari hui si ASMODEUS ki taraf dekh rahi thi,mere uske kandhe par haath rakhte hi uski tantra tooti....

tantra ke tootathe hi ANALIA ki nazar mujhpar gayi..maine usse ishare se BHUVIKA ki taraf dekhne ko kaha aur......

jaise hi ANALIA ki nazar mere point kiye hue jagah par gayi,uski aankhen wahin jam gayi...

yahi haal BHUVIKA ka bhi tha...wo ek tak ANALIA ko dekhe jaa rahi thi....dono ki nazaron ne maano ek dusre ki nazar ko jakad sa liya tha...

wahin BEELZEBUB toh kabhi BHUVIKA ko toh kabhi ANALIA ko dekhkar sitiuation ko samajhne ki koshish kar raha tha....

ANALIA ko dekh kar DEVIL banane ke baad pehli baar aaj BHUVIKA ka dil ussi maasum tarike se dhadak raha tha jaise NISHKALIKA ko dekhkar dhadka karta tha.....

BHUVIKA ke dil me jo mere liye dar tha,wo achanak gayab sa ho gaya tha..kuch der tak ANALIA ko dekhte rehne ke baad,BHUVIKA ke kadam uski taraf ya fir ye kahun ki hamari taraf badh gaye.....

BHUVIKA vashibhut si hokar chalti hui hamare paas aayi aur ANALIA ke saamne aakar khadi ho gayi.....

kuch der tak ek dusre ko dekhne ke baad BHUVIKA ke lab hile....

BHUVIKA-kaun ho tum???

ANALIA- ANALIA....

MAI- TUMHARI BEHEN.....

meri baat sun ANALIA aur BHUVIKA ko jhatka sa laga...jahan ANALIA ek tak mujhe dekhne lagi,wahin......

BHUVIKA- meri behen!!!!par ye kaise sambhav hai???humari behen toh NISHKALIKA.......

MAI-NISHKALIKA tumhari behen kabhi thi hi nahi BHUVIKA....

wo ek jhooth tha jisse ASMODEUS ne sach ka roop de diya tha....

BHUVIKA ke apni baat puri karne se pehle hi maine apni baat keh di.....

par meri baat BHUVIKA aur ANALIA ko lagne waala abhi tak ka sabse bada jhatka tha..dono avishwas bhari nazaron se meri taraf dekhne lagi....

BHUVIKA- kya bakwaa kar rahe ho...maine aur NISHKALIKA ne ek hi maa ke kokh se janm liya hai.....

mai BHUVIKA ki baat sunkar muskura diya...

maine usse saari baat batane se acha usse aur ANALIA ko saari haqiqat jo unke saath gahti thi,wo dikhana ucchit samjha.....

aur isiliye.....

meri haathon se ek ray nikli jisne BHUVIKA aur ANALIA ke sir ke beech ek bridge ka roop le liya....

aisa hote hi dono ki aankhen band ho gayi aur unhe apni band aakhon ke aage saari sacchayi dikhne lagi....

chaliye jab tak ye dono inki saari sacchayi dekh rahi hain,tab tak mai aapko short me inki sacchayi bata deta hun....

toh doston ye kahani tab shuru hui jab ASMODEUS ne COURIOUS grah ko shraapgrast kiya tha...

jaisa ki mai bata chuka hun ki COURIOUS me bacchon ke janm WHITE ENERGY se hota hai.wahan ki mahilaon ke mature hote hi unki kokh me WHITE ENERGY store ho jaati hai jisse bacche janm lete hain...(update 90)

jab COURIOUS shraapgrast hua tab ANALIA apne maa ki kokh me thi....par us kokh me wo akeli nahi thi,balki uske saath ek aur bacchi bhi thi jo uske saath saath janm lene waali thi.....

ye bacchi aur koi nahi balki BHUVIKA hi thi....

jaisa ki aapko pata hai ki shraapgrast hone ki sabse badi wajah ASMODEUS ki BLACK ENBERGY thi jo COURIS ped aur har COURIN phal ke andar chali gayi thi....

us BLACK ENERGY ki wajah se ASMODEUS ko ye baat pata chal gayi ki ANALIA ki maa ke kokh me do WHITE ENERGY se bhare hue bacche pal rahe hain...

aur ye baat pata chalte hi ASMODEUS ek raat chupke se ANALIA aur BHUVIKA ke maa ke saamne pahunch gaya...

wo abhi nidra awastha me thi....ASMODEUS ne unhe neend me hi behosh kar unki kokh ke andar jo WHITE ENERGY thi,uska aadha bhaag nikal liya aur usse lekar chala gaya....

ASMODEUS ne us WHITE ENERGY ko apne paas sambhal kar rakha..dheere dheere waqt nikalta gaya....

aur fir aaya NISHKALIKA ka daur....NISHKALILKA bachpan se hi BLACK ENERGY ki taraf aakarshit thi....

aur NISHKALIKA ke har chiz ko sikhne ka hunar bhi bohot zyada tha...

uske andar gazab ki pratibha thi...wahin koi bhi kaali shakti ASMODEUS ki nazar se chhupi nahi thi...

NISHKALIKA bhi ASMODEUS ki nazar me aa chuki thi...ussi waqt NISHKALIKA ki maa firse ek bacche ko janm dene waali thi....

par wo bacchi kamzori ki wajah se uski kokh me hi marne waali thi....ye baat ASMODEUS ko pata chal gayi...aur tabhi uske dimag me ek idea aaya....

usse us WHITE ENERGY ko jo usne ANALIA ki maa ke kokh se nikala tha,istemaal karne ka socha...

darasal ASMODEUS jaanta tha ki aage chalkar NISHKALIKA BLACK ENERGY ki ek bohot badi pratik banegi aur wo ye dekhna chahta tha ki ek WHITE ENERGY ka shroth BLACK ENERGY ke saaye me kis direction me jaata hai...

aur issi soch ke saath ASMODEUS ne NISHKALIUKA ki maa ke kokh me jo ab tak mar chuki bacchi thi,usse wahan se nikal diya aur uski jagah ANALIA ki mom ke kokh se laaye WHITE ENERGY ko daal diya jisne aage chalkar BHUVIKA ke roop me janm liya......

aapko yaad hoga doston ki DEVIL banane se pehle hi BHUVIKA ka andar bohot zyada maatra me WHITE ENERGY thi,wo isiliye hi thi kyunki uska janm hi WHITE ENERGY ki wajah se hua tha....

aapko ye bhi yaad hoga ki BHUIKA waise toh ek bohot achi ladki thi par NISHKALIKA ke maamle me wo kisi ki nahi sunti thi bhale hi galti NISHKALAIKA ki ho...

darasal BHUVIKA ko NISHKALIKA se pyar nahi tha,balki apni behen se tha..wo behen jo usse uske paida hone se pehle hi chhen li gayi thi aur isiliye hi behen shabd se uski bhaavnayen kuch zyada hi judi hui thi...

aur kyunki samaksh me NISHKALIKA hi uski behen thi,isiliye wo ussiko apna sab kuch maanti thi....

saari sacchayi jaante hi BHUVIKA aur ANALIA ki aakhen khul gayi....dono ki nazaren jaise hi ek dusre se mili,dono bhaavuk ho gayi aur jhat se ek dusre ke gale lag gayi.....

kuch der tak ek dusre ke gale lagne ke baad BHUVIKA ko ASMODEUS ka chhal jab yaad aaya toh wo turant uski taraf palti...

BHUVIKA- koi itna bhi gira hua kaise ho sakta hai???

BEELZEBUB- BHUVIKA.....apni zubaan ko lagam do...jaanti bhi ho ki tum kisse baat kar rahi ho???

MAI- kya tum jaante ho ki tum kiske saamne baat kar rahe ho???

BEELZEBUB ki baat sun jab maine apni baat kahi toh ek pal ke liye uski zubaan band hui par fir jab usse ehsaas hua ki uske FATHER uske saath khade hain,toh uski himmat wapas aa gayi....

BEELZEBUB mujhse kuch kehne hi waala tha ki....

MAI- halak se agar awaaz nikli,toh halak aur awaaz dono ko hamesha ke liye alag kar dunga...

maine apni baat BEELZEBUB ko ghurkar kahi jisse uski baat uske andar hi reh gayi....

ASMODEUS-pehli baar mere ghar aaye ho,gale nahi lagoge....

achanak se ek ajeebogarib baat jo ki sirf ASMODEUS hi keh sakta tha,usne mujhse kahi.....

ASMODEUS ki baat sunkar mai muskura diya.....

MAI-pehli baar tumne kuch maanga hai,mana kaise kar sakta hun...

ye bol mai aage badha..mere saath saath hi ASMODEUS bhi aage badha aur agle hi pal hum dono ek dusre ke gale lag chuke the.....

hume gale lagta dekh wahan moujud sabhi ke mooh khul gaye the par fir bhi sab chup chaap is ajeeb sangam aur mel ko dekh rahe the.....

kuch der tak gale lagne ke baad jab hum alag hue toh....

ASMODEUS- KAASH TUMHARI SOCH MERE JAISI HOTI......

MAI- KAASH TUMHARA SACH MERE JAISA HOTA....

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V.J.......
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM AUR AVANTIKA TWISTED DIMENSION ME JAATE HAIN JAHAN VIKRAM KUCH NAYA KARTA HAI WAHIN VIKRAM KE DWARA BHUVIKA AUR ANALIA KO UNKE RISHTE KE BAARE ME AUR ASMODEUS KE CHHAL KE BAARE ME PATA CHALTA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-103

PLANET-EARTH

PLACE-FOREST

LORD,AAPKA HUM JITNA BHI DHYANWAAD KAREN WO KAM HOGA...PEHLE AAPNE HUMARE GRAH ME AAKAR HUME HUMARE SHRAAP SE MUKT KARAYA AUR AAJ AAPNE HUME HAMARI BEHEN SE MILA DIYA....

ye bolkar ANALIA mere aage jhukne lagi par maine usse aisa karne se rok diya....

ASMODEUS se gale lagne ke baad mai apne doston ko aur BHUVIKA ko lekar wahan se gaayab ho gaya...

mere gaayab hote hi mere saare ANGELS bhi gaayab ho gaye.....

wahin mai gaayab hokar MUMBAI se baahar ek chote se jungle me pahuncha....

yahan pahunchte hi ANALIA dobara apni behen ke gale lag gayi..kuch der tak gale lage rehne ke baad jab dono alag hue toh ANALIA ne apni baat kahi...

MAI-tum dono ke saath jo hua,wo puri tarah anaitik tha...aur ek galat chiz ko sahi karna hi mera kaam bhi hai aur kartavya bhi....iske liye dhanyawaad kaisa????

AVANTIKA- waise ab tumhare man ki bhaavnaao ka kya haal hai???kya ab bhi V.J ke saamne tumhe apni bhaavnaao me prabalta lag rahi hai.....???

AVANTIKA ke sawaal se ANALIA ka dhyan apne un strong feelings ki taraf gaya jo ab uske andar bilkul nahi thi.....

aur is baat ka bodh hote hi wo shocked ho gayi....

ANALIA-arre haan,is taraf toh hamara dhyan hi nahi gaya...ab LORD ke saamne hone par bhi humari bhaavnyae saamanya hain par hume ye samajh nahi aa raha hai ki achanak ye parivartan kaise aa gaya????

MAI- wo isiliye kyunki tumhare andar jo mere liye prabal icchayen thi,wo tumhari behen ki wajah se thi....

tumhari bhaavnaye BHUVIKA se judi hui hain... aur kuch der pehle tak BHUVIKA ke andar mere liye bohot nafrat thi,infact mai is bramhaand me akela aisa shaksh hun,jisse wo nafrat karti thi....

par kyunki tum ek WHITE ENERGY ki shroth ho,isiliye uski bhaavnaye tumpar pura asar nahi kar paayi par phir bhi uski meri prati nakaratmak soch ki wajah se tumhare andar bhi mujhe dekh kar ek prabal bhawna ne janm le liya....

aisi bhaavna jo naa nakaratmak thi aur naahi sakaratmak par phir bhi prabal thi....

AVANTIKA- aur isiliye hi V.J ne tumhare andar aakarshan ke bhaavna paida ki..kyunki agar V.J aisa nahi karta,toh tumhari uske prati bhaavnaaye waqt ke saath aur prabal ho jaati aur tum us bhaavna ko samajh bhi nahi paati..

aur un haalaton me tum chain se jee nahi paati par V.J dwara tumhare andar chhode aakarshan ki wajah se tumhari baavnaayon ko ek naam mil gaya...PYAR...

aur aisa hote hi tumhare andar ek thairav aa gaya aur tum shaant ho gayi.....

par ussi nakli bhaavna ki wajah se jisse V.J ne tumhare andar daala tha,tumhe uske paas yahan dharti par kheench laayi jisse tumhara aur tumhari behen ka milan ho gaya....

aur ab kyunki tumhari behen ke man V.J me prati koi galat bhavna nahi hai isiliye tumhare man ki prabal bhavnayen bhi khatm ho gayi hai...

ANALIA-LORD,hum aapka ye upkaar zindagi bhar nahi bhulenge....

MAI-har dus minute me koi na koi wajah dekar tu dhanyawaad dhanyawaad bolti rehti hai....

yaar ek kaam kar,tere dhanyawaad ka jitna bhi kota bacha hua hai,wo abhi ek saath bol kar khatm kar de....

meri baat sun jahan AVANTIKA aur ANALIA ke chehre par muskurahat aa gayi,wahin 2 chehre aise bhi the jinme do alag alag bhaav the....

RONIT aur BHUVIKA......

jahan BHUVIKA ke chehre par pachtaave,aatmglaani aur sharm ke bhaav the wahin RONIT ke chehre par ghussa saaf dikh raha tha....

aur RONIT ke issi ghusse ki wajah se mai sabko yahan MUMBAI se thoda baahar ek chote se jungle me lekar aaya tha...

mai jaanta tha ki jo ghusse ka lava RONIT ke dil me ufaan maar raha hai,wo kabhi bhi fat sakta hai aur aise me hamara kisi public place me ya fir humare ghar par hona thik nahi hai....

jahan ANALIA is waqt apne hi khushi me magan thi wahin RONIT ke ghusse se AVANTIKA aur uske saath saath BHUVIKA bhi waakif thi....

BHUVIKA ne kayi baar RONIT ki taraf dekha tha aur har baar uske chehre par khudke liye beshumaar ghussa aur nafrat dikhi thi...

wo achi tarah jaanti thi ki usne jo RONIT ke saath kiya hai,uske liye wo usse kabhi maaf nahi karega....

is waqt bhi BHUVIKA ke andar ek DEVIL ka ansh moujud the,par apni behen se milne ke baad uske andar ki nakaratmakta jaise kamzor si padh gayi thi.....

ANALIA ke roop me usse uski asli behen mil gayi thi jiske wajah se uske andar moujud WHITE ENERGY uske andar ki BLACK ENERGY par bhaari padh rahi thi....

jo hua ya fir ye kahun ki BHUVIKA ne jo kiya wo usse badal toh nahi sakti thi par apne kiye ki maafi toh wo hum sab se aur sabse zyada aur pehle RONIT se toh maang hi sakti thi...isiliye........

BHUVIKA-RONIT............

CHATAAKH............

RONIT...........

jaise hi BHUVIKA ne RONIT kaha,RONIT tezi se aage badha aur second ke duswe hisse se bhi kam time me uska haath ghuma jo BHUVIKA ke gaalon se takraya....

RONIT ke mukable BHUVIKA me gayi guna zyada shakti thi issi wajah se RONIT ke thappad ka uspar koi zyada asar nahi hua..

wo bas halka sa piche hath gayi par apni behen ko yun thappad khaata dekh ANALIA RONIT ka naam lekar chillayi....

ANALIA- aap hamari behen par haath kaise utha sakte hain RONIT????

ANALIA turant apne behen ke paas pahunchi aur uske gaal ko jispar RONIT ne tamacha maara tha,sehlate hue boli......

RONIT- taklif hui....wo bhi us rishte ke liye jiske baare me tumhe abhi abhi pata chala hai....

toh socho mujhe kitni taklif huyi hogi jab isne mere bachpan ke pyar ko maar daala...

RONIT ne cheekhte hue apni baat kahi...ye sab bolte waqt RONIT ki aakhon me itna dard tha,itna ghussa tha jisse dekhkar ek taraf ANALIA ko dar lagne laga wahin BHUVIKA ka sir ek baar firse sharm se jhuk gaya.....

ANALIA- aapko toh pata hai RONITJI ki BHUVIKA ne jo bhi kiya usme inka haath hokar bhi nahi tha.....

ye toh behen prem ke vash me aakar wo sab kar baithi....wo prem jo ye mujhse karti thi kintu ASMODEUS ki wajah se unhe wo ehsaas kisi aur ke liye lagne laga tha....

RONIT- waah....kya tark diya hai tumne ANALIA....behen prem me aakar ye ek aisi ladki ka badla lene nikli jo kahin se bhi sahi nahi thi....

jisne khud najaane kitne hi bekasoor logon ki jaane li hai..jaanta hun ki iska dil behen shabd se jude hone ki wajah se sirf uski taraf hi jhukta tha...

par dil ke saath saath bhagwan ne hum sabko dimag naam ki bhi toh cheez di hai naa...ussi dimag ka istemaal kar ye sahi aur galat ke beech ka fark tak nahi samajh paayi...????!!!!

isne koi galti nahi ki hai,balki paap kiya hai aur maafi galti ki milti hai paap ki nahi....aur iske paap ki saza aaj mai isse de kar rahunga.....

BHUVIKA- RONIT......

par iisse aage BHUVIKA kuch keh nahi paayi..kyunki apni baat khatm kar RONIT tezi se aage badha aur is baar usne BHUVIKA ke chehre par ek kick jad di jisse ek baar firse BHUVIKA ladkhadate hue thoda peeche ho gayi.....

apni behen ko bachane ke liye ANALIA aage badhi par RONIT ne usse uske haath se pakad piche dhakel diya....

ANALIA tezi se piche ki taraf girne ko hui par isse pehle ki wo girti,AVANTIKA ne usse pakad liya...

wahin jaise hi RONIT ne ANALIA ko dhakka diya,BHUVIKA ko ghussa aa gaya aur usne RONIT ko maarne ke liye apna haath uthaya par......

uske haath hile bhi nahi....pehle toh usse iska kaaran samajh me nahi aaya par jab usne meri taraf dekha toh....

MAI- sochna bhi nahi.....

maeri baat sun BHUVIKA ka RONIT par jo ghussa aaya tha,wo khatm sa ho gaya par RONIT ka ghussa toh pal pal badhta hi jaa raha tha....

usne ek ke baad ek kayi sare punches BHUVIKA ko maare..BHUVIKA bhi chup chaap un punches ko khaati rahi....

par ek baat thi ki BHUVIKA par RONIT ke punche ka kuch khaas asar nahi ho raha tha.

wahin apni behen ko yun maarta khata dekh ANALIA se sehen nahi hua isiliye.....

ANALIA- LORD...apne friend ko rokiye naa...wo hamari behen ko maar dega....

MAI- is waqt RONIT bohot ghusse me hai...jab tak ye ghussa uske andar hai,kuch bhi karna theek nahi hoga....

ANALIA- toh kya jab tak RONITJI ka ghussa shaant nahi ho jaata,hamari behen yunhi maar khaati rahe....

MAI- tumhari behen ne jo kaam kiyen hai,uske liye toh RONIT se pehle mujhe hi usse maar dena chahiye tha....

par wo zinda hai kyunki usne jo kiya hai,wo kahin na kahin usse karwaya gaya hai.....

uski kismat ko uske janm se pehle hi badal diya gaya tha isiliye mai shaant hun.

par RONIT ke saath jo usne kiya hai,uske liye usse dand milna chahiye ya nahi,iska faisla RONIT karega,mai nahi.....

yahan hum baat kar rahe the,wahan RONIT laga hua tha BHUVIKA ko maarne me..par ab usse bhi samajh me aane laga tha ki uske waar se ya punches aur kicks se BHUVIKA ko zyada fark padega nahi isiliye.....

RONIT-V.JJ..........

meri taraf dekh RONIT ne bas mera naam hi liya par mujhe pata tha ki usse kya chahiye isiliye mere sharir se meri shakti ke ek chota sa bhaag baahar nikla aur usne RONIT ke sharir ko bina chhue usse chaaron taraf se gher liya...

aisa hone ke baad maine RONIT ko dekh haan me apna sir hilaya jiska matlab wo samajh gaya aur agle hi pal.....

AHHHH......AHHHH.......AHHHHH........

abki baar RONIT ne jitni baar bhi BHUVIKA ko punches ya kicks maare,un sab ka BHUVIKA par bohot zyada prabhav pada...

kuch hi seconds me BHUVIKA ke honth fat chuke the.maathe se khoon nikalne laga tha,pair halke mood se gaye the,haath jhool se gaye the.....

ANALIA-BHUVIKAAAAA..................

ANALIA ki is cheekh ki wajah ye thi ki BHUVIKA dard aur thakan ki wajah se apne ghutno ke bal baithne hi waali thi ki RONIT ka pair zor se ghuma aur uske jabde se takraya jiske fal swaroop BHUVIKA ghoomti hui neeche zamin par gir gayi......

BHUVIKA ke girte hi ANALIA ki cheekh nikal gayi....

wo apni behen ke paas jaane ki liye tadap rahi thi par AVANTIKA ne uska haath nahi chhoda...

RONIT abhi jis mood me tha,us mood me wo ANALIA ko bhi nuksaan pahuncha sakta tha isiliye AVANTIKA ne use jaane nahi diya....

wahin niche girne ke baad BHUVIKA ne apni bojhil aankhon se ek baar RONIT ko dekha aur kuch kehne ke liye uske lab hilne hi waale the ki.......

SVATI PRAKATAM

SWORD APPEAR

ye SPELL RONIT ne bola tha..SPELL ke bolte hi RONIT ke haathon me ek talwar chamak uthi jisse dekhkar jahan ANALIA ka dar saatve aasman par pahunch gaya wahin BHUVIKA ko lag gaya ki uska antim samay aa gaya hai...

RONIT ne apna talwar waala haath upar uthaya aur.....

KHACH..........

BHUVIKA.............

AAAAA.......................

jaise hi RONIT ne apni talwar chalayi toh ek awaaz hui jisse sunkar ANALIA ki cheekh nikal gayi....

usne ek zor ka jhatka dekar apna haath AVANTIKA ke haath se chhuda liya aur apni behen ke paas bhaagi....

apne behen ke paas jaate hi jahan uske aankhon ke aansu tez ho gaye wahin do aankhon me hairat ke bhaav the....

ye do aankhen aur kisi ki nahi BHUVIKA ki thi jo aankh faade kabhi RONIT ko dekhti toh kabhi apne baaju me zamin me dhase talwar ko......

ANALIA ke bhi jo aansu nikal rahe the,wo khushi ke the..apni behen ko zinda dekhne ki khushi......

wahin talwar zamin me aadhe se zyada dhasane ke baad......

RONIT-AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA..........

RONIT aakash ki taraf dekh kar zor se cheekha....uski cheekh me majboori aur dard dono saaf samajh aa rahe the.....

wahin RONIT ko BHUVIKA ko jaan se naa maarta dekh mere aur AVANTIKA ke chehre par ek muskaan naach gayi...

aaj mujhe mere friend par garv ho raha tha...aaj uski wajah se insaaniyat aur acchayi fir jeet gayi thi.....

mai aur AVANTIKA chalte hue RONIT ke paas pahunche...aur maine jaise hi uske kandhe par haath lagaya,wo jhat se mere gale lag kar rone laga.....

maine bhi usse chup nahi karaya aur kuch der rone diya....meri shaktiyan jiisne RONIT ko ghera hua tha,wo wapas mujhme sama gayi thi.

wahin apni behen ka sahara lete hue BHUVIKA dheere dheere khadi ho chuki thi....

uski aankhon me abhi tak awishwas jhalak raha tha...wo samajh nahi paa rahi thi ki aakhir RONIT ne usse zinda kyun chhod diya.....

kuch der tak mujhse gale lag rote rehne ke baad jab RONIT mujhse alag hua aur jaise hi uski nazar BHUVIKA ki taraf gayi toh.....

BHUVIKA-tumne mujhe zinda kyun chhod diya....maine tumhare saath jo kiya hai uske baad toh mujhe waise bhi jeena ka koi hak nahi hai...

RONIT- yahin tum galat ho BHUVIKA..kisi ko maarna ya naa maarna,iska faisla karne waale hum koi nahi hote....

jab zindagi us upar waale ne di hai,tu lene ka adhikar bhi sirf ussi ka hai...par tum jaise kuch murkh is baat ko andekha kar khud hi dusro ke jeeven ka faisla lene lagte ho....

itna bhi nahi sochte ki tum jaan ek ki lete ho,par uske saath saath mar bohot se log jaate hain...

jisse tumhare jaise paapi maarte hain,uski saanson ke saath saath uske apno ki bhi saansen rook jaati hai....

aaj agar mai tumhe maar deta,toh mujhme aur tumme kya fark reh jaata...tum toh mar jaati par tumhari behen zindagi bhar tumhari yaad me roti rehti....

jo mere saath hua hai,jis dard ke saath mai jee raha hun,wahi dard mai kisi aur ko kaise de sakta hun....

par haan,ye bhi sach hai ki mai ANJALI se jitna pyar karta hun,tumse utni hi nafrat karta hun aur hamesha karta rahunga.....

RONIT ki baatein BHUVIKA ke dimag me kisi hathode ki tarah baj rahi thi...RONIT ne agar usse maar diya hota toh usse itni taklif nahi hoti jitni usse abhi mehsoos ho rahi thi....

ek aur chiz thi jo BHUVIKA ko mehsoos ho rahi thi jisse wo lagatar andar hi andar zabt kiye jaa rahi thi aur wo tha dard...

dard jo usse khudke andar chuupa DEVIL ya ye kahun ki uske andar moujud BLACK ENERGY de raha tha....

RONIT se maar khaate waqt najaane kitni hi baar BHUVIKA ke andar moujud DEVIL ne usse RONIT ko palatwaar karne ko kaha par BHUVIKA ne uski baat nahi maani aur chup chaap maar khaati rahi.....

uske andar moujud WHITE ENERGY usse khud ko sayammit karne me madad kar rahi thi aur issi wajah se BHUVIKA ke andar moujud BLACK ENERGY aur WHITE ENERGY ke beech ek kism ka yudh shuru ho gaya jiski wajah se BHUVIKA ko is waqt bohot zyada dard mehsoos ho raha tha....

BHUVIKA ke dard se mai bhi anjaan nahi tha aur ye jaankar mujhe bohot khushi ho rahi thi ki BHUVIKA khud ke upar apne andar moujud shaitan ko haavi nahi ho ne de rahi hai....

mujhe ye bhi pata tha ki jo dard uske dil me uth raha hai us dard ke saamne uske sharir me uth raha dard kuch bhi nahi tha..

usse pata tha ki ye ghinouna ehsaas jo usse khudke liye mehsoos ho raha hai wo shayad kabhi nahi jaayega.....

BHUVIKA ne ek baar RONIT ki taraf dekha aur fir meri taraf..mujhe kuch der tak dekhne ke baad BHUVIKA ke lab hile.....

BHUVIKA- LORD,bhale hi RONIT ne mujhe jeevit chhod diya ho,par maine jo kiya hai,uske baad mujhe jeene ka koi hak nahi hai....

mujhe khudse ghrina si ho rahi hai...ye zindagi mere liye mout se bhi badtar hai....

mai is laayak toh nahi,par meri aapse ek praarthana hai,ek nivedan hai....

MAI- mai sun raha hun,bolo......

BHUVIKA- mujhe mrityu de dijiye...mujhe is shraapit jeeven se mukti de dijiye.....

jahan BHUVIKA ki baat sunkar mere chehre par smile aa gayi wahin.......

ANALIA- BHUVIKA...ye kya bol rahi hain aap????

BHUVIKA-wahi jo sach hai..wahi jo hona chahiye....mai jaanti hun ki tumhe meri baat bilkul acchi nahi lagi par ek baar bas ek baar meri behen ke nazariye se baahar nikalkar khud se ye sawaal karo ki......

maine jo kritya kiye hain,uske baad kya mujhe jeene ka koi hak hai???

bilkul nahi....hum toh COURIOUS waale hain ANALIA,WHITE ENERGY ke pratik...wo energy jo hume swayam PARMESHWAR se milti hai.

anjaane me hi sahi par BLACK ENERGY ko apnakar maine pehle hi ek bohot bada paap kar liya hai....

aur fir dushkarmi bankar maine us paap ka bhaar aur badha liya hai...ab is paap se mukti ka sirf ek hi upaay hai,aur wo hai maut....

ANALIA apni behen se bohot kuch kehna chahti thi par wo keh naa paayi..wo jaanti thi ki kahin na kahin BHUVIKA sach hi keh rahi hai..

ANALIA ye bhi samajh rahi thi BHUVIKA ki aatm glaani itni zyada hai ki ye zindagi uske liye mout se bhi badtar hai par ussi samay par wo apni behen se door bhi nahi hona chahti thi...

aur agle hi pal dono behene meri taraf dekhne lagi....

ek ke aankhon me nivendan tha toh dusre ki aankhon me laachari aur ek iltaja ki mai uski laachari ko naa sirf samjhu par usse door bhi karun....

wahin mai toh muskurate hue hi dono beheno ko dekh raha tha..unki baaton ko sun raha tha.aur jab dono ki baatein,tark vitark khatm hua aur dono ki nazar mujhpar gayi toh.....

MAI-BHUVIKA,naa mai tumhare dil me uth rahe glani ke dard se anjaan hun aur naahi tumhare sharir me uth rahe B BLACK ENERGY ke dard se.....

RONIT jab tumhe maar raha tha,tab bhi tumne khudke andar uth rahe shaitan ke ufaan ko daba kar rakha,tumhare paschatap aur uske ehsaas me kaha gaya har shabd saccha hai aur ek BLACK ENERGY ka dhaarak ke man me aisi bhaavna ka hona bohot badi baat hai....

meri baaton ko BHUVIKA dhyan se sun rahi thi aur beetate pal ke saath usse ascharya bhi ho raha tha...

aur wo isiliye kyunki jabse maine bolna shuru kiya tha,tabse uske sharir me uth raha aseem dard kam hone laga tha...

meri baaton se naa sirf uske sharir ke dard se raahat mil rahi thi balki uske dil ka dard,uski glaani bhi usse kam hoti mehsoos ho rahi thi...

MAI-tum marna chati ho par tumhe ye toh maalum hi hai naa ki is waqt tumhara sharir ke andar jo BLACK ENERGY hai,uski wajah se tum bhi ek DEVIL ki shreni me hi aati ho!!!

BHUVIKA ne mere sawaal par haan me apna sir hilaya....

MAI- toh tumhe ye bhi pata hoga ki jab ek DEVIL marta hai,toh sirf uska sharir hi khatm nahi hota balki uski aatma tak dum tod deti hai...

dum todte hi wo aatma anant kaal ke liye ek dard bhare andhere me goom ho jaati hai jisme usse roshni kabhi naseeb nahi hoti....

jahan BHUVIKA ne ek feeki muskaan ke saath firse haan me apna sir hilaya wahin ANALIA mere dwara batayi gayi baat ko sunkar apni behen ke liye dar gayi...

wo kuch kehne hi wali thi ki maine apna haath aage kar ke usse bolne se rok diya...

MAI- ANALIA,tum BHUVIKA ki niyati ko badal nahi sakti.....iske saath jo hona hai,wo har haal me hokar hi rahega....

jahan meri baat sunkar ANALIA bohot zyada nirash ho gayi wahin pehli baar BHUVIKA ke chehre par santushti ke bhaav jaage the....

MAI- waise toh aaj tak kisi DEVIL ko ye mouka nahi mila hai par mai tumhe ye mouka deta hun....

BHUVIKA-kaisa mouka???

MAI- us andhkar ko jisme tumhari aatma sadaiv ke liye kaid hogi,usse marne se pehle hi mehsoos karne ka.....

aur isse pehle ki mere baat ka matlab BHUVIKA samajhti ya koi pratikriya deti,mere haath uski taraf uth gaye aur aisa hone ke agle pal hi.....

DHAMM........

is awaaz ke saath BHUVIKA ka sharir neeche zamin par gir gaya....

apni behen ko yun achanak girta hua dekh ANALIA bohot ghabra gayi aur wo bhi turant BHUVIKA ke paas baith gayi..

apni behen ko chhute hi ANALIA ko ek jhatka laga....aur wo isiliye kyunki is waqt BHUVIKA ka sharir ekdum thanda tha jaise ek murde ka hota hai...

usne turant BHUVIKA ke sir ko apni godh me le liya aur usse uthane ki koshih karne lagi par koi faayeda nahi hua...

darte darte ANALIA ne mujhe dekha par mujhse kuch puchne ki uski himmat nahi hui...

AVANTIKA aur RONIT bhi samajhne ki koshish kar rahe the ki ye achanak mere haath aage karne ke baad BHUVIKA ko kya hua??wo gir kyun gayi??

par unhone mujhse kuch nahi pucha..dono hi jaante the ki no bhi hua hai,wo kuch hi der me khud hi disclose ho jaayega....

toh hua ye tha ki mere haath aage karte hi BHUVIKA ke sharir se uski spirit ya fir ye kahun ki uski spirit ka black part jo ki DEVIL ka tha,wo kheenchate hue baahar aa gaya aur baahar aate hi maine usse ussi andhakar me bhej diya jisme marne ke baad har DEVIL ka soul jaata tha.....

par yun achanak BHUVIKA ke andar se uski spirit ke nakaratmak ya fir ye kahun ki DEVIL ke part ke nikalne ki wajah se BHUVIKA ka jism bohot zyada kamzor ho gaya...

itna hi nahi,uske dimag ko bhi ek zor ka jhatka laga jiski wajah se wo bhi deactive ho gaya aur natija......

BHUVIKA ek mout si behoshi me chali gayi thi.......

ANALIA- LORD,kya meri behen muj
he chhodkar chali gayi....????

bohot der ke baad ANALIA ke mooh se bas itni hi baat nikal paayi...

MAI- nahi....

meri baat sunte hi ANALIA ki aankhon me ek chamak aa gayi.....

ANALIA- toh fir,iska sharir itna thanda kyun padh gaya hai....???

MAI-iske andar ke DEVIL ko maine jis duniya me bheja hai,wahan pahunchne ke baad bhi wo abhi tak isse kuch hadh tak juda hua hai...

wo wahan se wapas aana chahta hai ya fir isse bhi apne saath us duniya me lejaana chahta hai.kamzor hi sahi par uski pakad ki wajah se iska sharir kisi mare hue insaan ki tarah thanda hai...

ANALIA- toh kya meri behen us andhakar waali duniya me chali jaayegi....

maine kuch kaha nahi bas apna haath aage kar diya..aur agle hi pal BHUVIKA ke sharir ke andar ka hissa dikhne laga jisse dekhkar sab shocked ho gaye....

darasal BHUVIKA ke andar jo COURIOUS ki WHITE ENERGY thi,jisse uske DEVIL waale roop ne kaid kar liya tha,wo ab azaad ho chuki thi..

aur dheere dheere BHUVIKA ke saare sharir me fail rahi thi.....

ANALIA- ye sab kya hai???

MAI- ye wahi ENERGY hai jo tumhare sharir me har waqt ghumti rehti hai....wahi ENERGY jisse tum COURIOUS waasiyon ka janm hota hai....

ye ENERGY BHUVIKA ke andar kaid ho gayi thi jo ab azaad ho gayi hai aur uske sharir me faile rahi hai..jaise hi ye ENERGY uske pure sharir me failegi,usse hosh aa jaayega....

meri baat sunkar ANALIA ki khushi ka thikana nahi raha...

wo besabri se apni behen ke uthne ka intazar karne lagi....

kuch der laga,jaise hi WHITE ENERGY ne BHUVIKA ke saare sharir ko ghera,uski aankhen dheere dheere khul gayi....

aankh khulte hi BHUVIKA ki nazar sabse pehle apni behen par gayi jisse dekhkar uske chehre par ek muskaan aa gayi....

apni behen ko hosh me aata dekh ANALIA jhat se jhuk kar apni bahen ke gale lag gayi...

kuch der tak gale lage rehne ke baad jab dono alag hue toh BHUVIKA ki nazar mujhpar gayi...is waqt uske chere par mere liye abhaar ke bhaav the....

kuch der tak yunhi letne ke baad BHUVIKA ne jaise hi uthne ki koshish ki

AHHHH........

ek dard bhari karah uske gale se nikal gayi jisse sunkar ANALIA ghabra gayi.....

ANALIA-kya hua BHUVIKA....????

BHUVIKA- pata nahi,par mere pairon me mujhe taakat mehsoos hi nahi ho rahi...

pairon me hi kya,mujhe apne sharir me kahin bhi koi shakti mehsoos nahi ho rahi....

ANALIA- abhi abhi tum thik hui ho naa isiliye..dekhna,kuch hi der me tum puri theek ho jaaogi.....

MAI- nahi....BHUVIKA kabhi theek nahi ho sakti.....

isse pehle ki BHUVIKA kuch kehti,meri awaaz sabke kaano me padi jisse sunkar sabhi shocked ho gaye...

ANALIA-kabhi theek nahi ho sakti???par kyun LORD....????aapne toh iske andar ki BLACK ENERGY nikal di hai naa??toh ab kya pareshaani hai???

MAI- wahi toh pareshaani hai...BLACK ENERGY toh nikal gayi,par apne saath BHUVIKA ki sharirik shatki bhi saath le gayi...

itna hi nahi,BLACK ENERGY ke pure nikalne jaane ki wajah se BHUVIKA ka hriday aur mastishk bhi kamzor ho gaye

hain jiski wajah se kabhi bhi iski mrityu ho sakti hai...

meri baat sunkar ANALIA ghabra gayi..wo kuch kehti usse pehle hi.....

BHUVIKA- par LORD,BLACK ENERGY toh mere andar kuch hi samay pehle samayi thi...usse pehle toh aisa kuch nahi tha fir bhi mai puri tarah se swastha thi.....

MAI-manushya yoni me paida hone waale har insaan ke andar janm lete hi BLACK aur WHITE ENERGY ke kan usme sama jaate hain.sirf COURIOUS hi ek aisa grah hai jahan ke insaano me koi BLACK ENERGY nahi hoti...

ANALIA- par LORD,meri behen bhi toh COURIOUS WAASI hai naa!!!

MAI- puri nahi aadhi....garbh me aane ke waqt bhale hi BHUVIKA COURIOUS me thi,par uska janm GLUTO me hua tha....

ANALIA aur BHUVIKA ki MAA ke garbh ke andar jo WHITE ENERGY thi,ASMODEUS ke usse baahar nikalne ki wajah se us ENERGY ke kuch kan garbh me hi reh gaye....

aur issi wajah se BHUVIKA ki aantarik shakti bhi thik se panap nahi paayi aur issi wajah se apni behen ke maamle me wo sahi aur galat ka fark nahi kar paati thi....

WHITE ENERGY ke jitne kano ne BHUVIKA ke roop me janm liya,wo usse zinda rakhne ke liye kaafi nahi the par kyunki BHUVIKA ka janm GLUTO me hua jahan BLACK ENERGY bhi paayi jaati thi,isiliye BHUVIKA ki WHITE ENERGY ke saath wahan ki BLACK ENEGRY bhi mil gayi jiski wajah se BHUVIKA na sirf bach gayi balki tandarust bhi nikli.....

par abhi jab maine BHUVIKA ke andar ke DEVIL aur uski BLACK ENERGY ko nikala,toh us BLACK ENERGY ne BHUVIKA ke janm ke samay usse mile BLACK ENERGY ko bhi apne saath sath kheench liya aur isiliye BHUVIKA ki aisi haalat ho gayi.....

ANALIA- toh aap meri behen ko theek kar dijiye naa LORD....uske sharir me WHITE ENERGY ke kuch kan daal dijiye....

MAI-mai aisa nahi kar sakta.....mere aisa karte hi BHUVIKA ki turant mout ho jaayegi....

ANALIA- par kyun LORD???aapki hi urja toh mere aur hum sab COURIOUS waasiyon ke andar beh rahi hai...jab hume aap apni urja de sakte hain toh BHUVIKA ko kyun nahi....

MAI- tumhe ye yaad raha ki maine tumhe apni urja di,par ye yaad nahi raha ki mujhe aisa kyun karna pada tha???

SHRAAP ki wajah se tum sabke andar ki WHITE ENERGY khatm ho chuki thi..tum sabke andar sirf BLACK ENERGY hi bachi thi jisse maine apni urja se apni WHITE ENERGY se hataya tha....

par tumhare behen ke andar pehle se WHITE ENERGY hai...wo ENERGY jo usse uske janm lene se pehle hi prapt hui thi....

itne saalon se BHUVIKA ke sharir ko itni hi WHITE ENERGY ki aadat ho gayi hai...isse zyada agar koi urja uske sharir me sama sakti hai toh wo sirf BLACK ENERGY hai...

agar maine apni urja ka halka sa bhi kan uske andar daala toh uska sharir ussi waqt fat jaayega.....

AVANTIKA- toh ab????

MAI- ab kuch nahi...agar BHUVIKA kahe toh mai uske sharir me wapas kuch maatra me BLACK ENERGY daal sakta hun,isse wo pehle jaisi ho jaayegi.....

isse pehle ki koi kuch kehta....

BHUVIKA- nahi......mai marna pasand karungi,par dobara BLACK ENERGY ke kan ko chhuna tak mujhe gawara nahi....

ANALIA- par BHUVIKA,aise toh tum jeevit nahi reh paaogi.....

ANALIA ne rote hue apni baat kahi.....

BHUVIKA- ro mat meri behen...mar toh mai ussi waqt gayi thi jab maine andhere ke raaste ko chuna tha...

mujhe toh is baat ki khushi hai ki mai paak saaf hone ke baad apni aankhen hamesha ke liye band karne waali hun....

LORD,aaj aapne mere upar itne ehsaan kiye hain jisse mai agle 7 janmo tak bhi chuka nahi paaungi...

bas ek khwashish bach gayi hai,aur wo ye ki meri mout aapke haathon ho....isse meri aatma ko moksh mil jaayega....

jahan BHUVIKA ki baat sunkar ANALIA,aur uske saath sath AVANTIKA aur yahan tak ki RONIT tak ko bura laga wahin mere chehre par muskaan naach gayi....

ANALIA- kya hamari behen ko bachane ka koi tarika nahi????

MAI-isiliye mai hamesha kehta hun ki baaton ko dhyan se sunana chahiye..har baat apne aap me ek paheli hai jisse suljhate hi hamare saare pareshaniyon ka hal mil sakta hai....

kisi ko bhi meri baat samajh nahi aayi,sabhi aanhon me sawal liye mujhe dekh rahe the....par meri baaton se sabhi ke man me ek ummid ki kiran jagi,khaas kar ANALIA ke man me aur isiliye.....

ANALIA- kya hamari behen thik ho sakti hai???

MAI- haan bhi aur nahi bhi.....

kisi ko bhi meri baat ka matlab samajh nahi aaya???

ANALIA- hum samjhe nahi....

MAI-pehle ye batao ki maine BHUVIKA ke andar jo WHITE ENERGY ki kami hai,uska kya kaaran bataya tha????

BHUVIKA- yahi ki ASMODEUS ne mujhe lejaane ke liye jo garbh se WHITE ENERGY nikali thi,us ENERGY ke kuch kan jo ki mere sharir ke liye the,wo garbh me hi reh gaye the....

MAI-hmm.ab ye batao ki agar tumhare hisse ki WHITE ENERGY garbh me hi reh gayi thi toh fir wo gayi kahan????aur ab wo kahan hai???

kuch der tak sochne ek baad sabhi ke mooh se ek saath nikla....

SAB-ANALIA.........

ANALIA- haan,wo kan toh mujhme sama gaya hoga....par mujhe is baat ka kabhi aabhas nahi hua???

MAI- paani me paani milane se paani ko fark nahi padta ANALIA...

jis tarah BHUVIKA ke sharir ko kam WHITE ENERGY ki aadat ho gayi hai,ussi tarah tumhare sharir ko bhi zyada WHITE ENERGY ki aadat ho gayi hai....

pure COURIOUS waasiyon me ek tum hi ho jiske andar meri urja sabse zyada hai...aur isiliye hi GOD ne pure COURIOUS me sirf tumhe hi chuna tha,mere sapno me aane ke liye....

ANALIA-oh....par isse hamari behen ka kya sambandh????

MAI-sambhandh hai....bhale hi tumhe tumhare andar moujud aawashaykta se adhik urja se laabh nahi hua hai,par tumhari behen ko ho sakta hai.....

ANALIA-matlab,hume jo alag se urja mili hai,usse baahar nikalkar BHUVIKA ko diya jaa sakta hai...

MAI-urja koi dukaan me milne waala saman nahi hai,jo kisi ko bhi uthakar de diya jaaye aur waise bhi maine bataya tha naa ki BHUVIKA ke sharir me aur WHITE ENERGY ko nahi daala jaa sakta...

ANALIA- fir hamari BEHEN hamari urja se kaise thik ho sakti hai???

MAI-maine kab kaha ki wo thik ho sakti hai....
par haan usse tumhari atyadhik urja se laabh mil sakta hai....

SAB- kaise????

MAI-BHUVIKA ko apne asli swaroop me loutna hoga....

is baar bhi kisiko meri baat ka matlab samajh me nahi aaya.....par isse pehle ki koi kuch puchta....

MAI-BHUVIKA ka ya fir kisi bhi COURIOUS WAASI ka asli swaroop WHITE ENRGY hota hai jo uske janm se pehle uska asli roop hota hai aur marne ke samay bhi har COURIOUS waasi ussi WHITE ENERGY ke roop me badal jaata hai....

BHUVIKA ko bhi apne is sharirik roop ko tyag apne asli roop WHITE ENERGY me badalna hoga.....

jahan meri baat sunkar BHUVIKA ke chehre par santosh tha,wahin ANALIA firse udaas ho gayi....

ANALIA- matlab toh wahi hua naa..kisi bhi tarah se bhi,par BHUVIKA ko marna toh pada hi naa....

MAI- nahi..jab tak tum ho BHUVIKA mar nahi sakti..tum dono ki mout ek saath hogi jisme abhi kaafi samay hai....

ANALIA- matlab????

MAI-tumhare andar moujud alag se jo urja hai wo asal me tumhari behen ka nivaas sthaan hai....

WHITE ENERGY me badalne ka baad BHUVIKA tumhare andar sama jaayegi..jab aisa hoga toh tumhare andar moujud BHUVIKA ki urja usse mil jaayegi....

aisa hote hi BHUVIKA hamesha ke liye tumhare saath tumhare sharir ke andar reh sakegi......

tum usse hamesha mehsoos kar paaogi jaisa abhi kar paa rahi ho..itna hi nahi tum usse baat bhi kar sakogi aur zaroorat padhne par ek SPIRIT ka roop lekar BHUVIKA kuch der ke liye tumse baahar bhi aa sakti hai jisse tumhe apni behen ko dekhne ki iccha bhi puri hoti rahegi....

meri baat sunkar ANALIA aur BHUVIKA ki khushi ka thikana nahi raha.....dono ke sir mere samman me mere aage jhuk gaye...

AVANTIKA aur RONIT bhi meri baat sunkar khush ho gaye the....

BHUVIKA-aapne toh mere shrap ko vardaan me badal diya LORD....ab mujhe aur meri behen ko koi bhi juda nahi kar paayega.....

ANALIA- aapka koti koti dhanyawad LORD...

MAI- taiyar ho BHUVIKA.....

BHUVIKA- jee....par use pehle,RONIT.....mai is kaabil toh nahi..par mujhe intazar raehga tumhari maafi kaa.....

ye bol BHUVIKA ne apni aakhen band ki aur agle hi pal....

uska shairir WHITE ENERGY me badal gaya aur hawa me uth ANALIA ke seene ke saamne aakar rook gaya.....

ek second rookne ke baad BHUVIKA ki energy ANALIA ke sharir ke andar pravesh kar gayi....

aisa hote samay ANALIA ki aankhen band ho gayi...ANALIA ke andar jaate hi BHUVIKA ki energy uske baaki ke anargy ke saath mil gayi aur aisa hote hi BHUVIKA ANALIA ke saath hamesha hamesha ke liye jud gayi....

BHUVIKA- is naye ghar ke liye dhanyawaad behen....

ye awaaz ANALIA ke andar se aayi thi jisse sunkar ANALIA ke chehre par muskaan naach gayi...

ANALIA ki aankhen abhi bhi band thi....apni behen ko apne andar ache se mehsoos kar jaise hi ANALIA ne apni aakhen kholi,wo shocked reh gayi....

reason..is waqt wo earth me nahi balki apne grah COURIOUS me thi.....

wo kuch thik se samajhti tabhi......

TUMHARA KAARYA PURA HUA ANALIA...AB BAAKI KA JEEVEN APNI BEHEN KE SAATH APNE GRAH ME KHUSHI KHUSHI BITAO.....

ye awaaz meri thi jisse sunkar ANALIA aur uske andar moujud BHUVIKA khush ho gayi....

man hi man mujhe dhanyawaad dete hue dono ek dusre me guthe hue apne logon ke taraf badh gaye......

wahin jaise hi ANALIA gaayab hui....

RONIT-abbe ye kahan gaayab ho gayi...

MAI- uska kaam khatm hua..wo apne ghar chali gayi...ab tujhe bhi ghar jaana hoga..mujhe aur AVNI ko kal waali jagah jaana hai....

RONIT- ab puchunga ki tum dono kahan jaa rahe ho toh tu batayega toh nahi...

MAI- satyavachan....par bohot jald mai kahan gaya tha aur kyun gaya tha,dono hi baatein tujhe pata chal jaayegi.....

aur ab bye......

RONIT ne kuch kehne ke liye mooh khola hi tha par fir usse apna mooh band karna pada...

reason..filhal wo ussi parking me khada tha jahan se hum yahan aaye the...

ek lambi saans lete hue wo apni bike ki taraf badh gaya....

wahin RONIT ko gaayab karne ke baad mai bhi AVANTIKA ka haath pkada gaayab ho gaya aur agle hi pal hum dono kal waali jagah par the.....

THE TWISTED DIMENSION

PLANET- MONSLICKEL

PLACE-ASMODEUS PALACE

KUCH HUA HAI NAA FATHER.......

ASMODEUS ko smile karta dekh BEELZEBUB ne dheere se usse pucha....

jab VIKRAM ko ASMODEUS ne gale lagaya,tabhi se BEELZEBUB ko ye baat khatak rahi thi....

gale lag jab dono bhai alag hue aur fir jaise hi VIKRAM apne doston aur BHUVIKA ko lekar gaayab hua,toh BEELZEBUB turant apne sawaalon ko lekar ASMODEUS ke paas lapka par jaise hi wo ASMODEUS ke kareeb gaya,toh chownk gaya...

reason....ASMODEUS ke chehre par ek smile thi..ek aisi smile jo uske chehre par tabhi aati hai jab uske shatir dimag me kuch naya upja hota hai..

jab ASMODEUS ne kuch aisa kar diya hota hai jiske baare me tabhi pata chal sakta hai jab ASMODEUS saamne se uske baare me khud bataye.....

apni baat keh jigyasa bhari nazaron se BEELZEBUB ASMODEUS ke taraf dekhne laga.....

ASMODEUS- tumhe aisa kyun laga ki kuch hua hai????

BEELZEBUB- apke chehre par is waqt dikh rahi rahasyamayi muskurahat ki wajah se...

ye bhaav akaran aapke mukh par kabhi nahi aate..pichli baar aise bhaav aapke chehre par tabhi aaye the jab VIKRAM ko COURIOUS ke baare me pata chala tha....

aur aapne unke wahan pahunchne se pehle hi apni chaal chal di thi..aisi chaal jiski wajah se VIKRAM ka astitv hi badal gaya tha...

aaj firse wahi muskurahat aapke chehre par hai...aur mujhe aisa lag raha ki aapka VIKRAM ko gale lagana akaaran nahi hai aur kahin na kahin ye muskurahat bhi us aalingan se judi hui hai......

BEELZEBUB ki baat sunkar ASMODEUS ke chehre ki muskurahat aur gehri ho gayi....

ASMODEUS- tumne sahi kaha BEELZEBUB...VIKRAM ko maine akaran gale nahi lagaya tha....

jab hum dono ek dusre ke gale lage hue the,us waqt maine VIKRAM ke mastishk me SHADOW WORLD aur wahan fase SAMAY SANCHALAKON ki jhalkiyan daal di thi.....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZSEBUB shocked ho gaya....

BEELZEBUB- par isse toh VIKRAM na sirf SHADOW WORLD ke baare me sab jaan jaayenge balki wahan jaakar wo sabhi SAMAY SANCHALOKON ko azaad bhi kara lenge...

ASMODEUS- kuch der pehle meri muskurahat ko dekh mere yojna ka andaza lagakar tumne ek vidwan hone ka parichay diya aur abhi bewakufon bhari baatein kar fir se apne murkh hone ka dhindora peet rahe ho....

murkh,sawaal puchne se pehle ek baar sawaal ke vishay me toh soch liya karo...

VISHAY matlab SHADOW WORLD..kya jaante ho tum SHADOW WORLD ke baare me....

ASMODEUS ki baaton ko sun BEELZEBUB ka sir neeche ho gaya tha aur jab ASMODEUS ne usse sawal kiya toh.....

BEELZEBUB-SHADOW WORLD aapke khudki rachna hai...SHADOW WORLD waise toh ek grah hai par asal me wo ek karaagar hai....

ASMODEUS-haan.kaaragar..ek aisa kaaragar jiske baahar se andar tak jaana bhi bohot kathin hai....

ya fir ye kahun ki VIKRAM ko chhod kar kisi ke liye bhi is kaaragar ko dhund tak paana naamumkin hai par agar VIKRAM us karagaar numa grah ko khoj uske andar chala bhi jaaye toh wahan se baahar aana uske liye bhi naamumkin hai..

kyunki SHADOW WORLD ko sirf baahar se niyantrit kar khola jaa sakta hai,andar se nahi.....

BEELZEBUB- par FATHER,agar VIKRAM chaahe toh apni shaktiyon ka istemaal kar SHADOW WORLD ka vinash bhi kar sakta hai..

aur aisa me toh VIKRAM SAMAY SANCHALAKON ko bacha kar wapas YELUPTUS pahuncha dega....

ASMODEUS- aisa nahi hoga....VIKRAM chah kar bhi SHADOW WORLD ko khatm nahi karega....

BEELZEBUB-kya mai puch sakta hun kyun FATHER???

ASMODEUS ne kuch kaha nahi bas apne seene ke upar haath rakha..agle hi pal uske sene ke beech ek tez roshni hui aur jab roshni ghati toh ASMODEUS ke haath me kuch tha jisse usne BEELZEBUB ke saamne kar diya....

BEELZEBUB- PARIVARTAK......

ASMODEUS- haan,PARIVARTAK....

PARIVARTAK ke andar se jo kirane nikalti hain,in kiranon se jo adrishya setu banta hai,usse bramhaand ke har jeevanyaapi grah jud jaata hai.....

VIKRAM ke SHADOW WORLD me jaate hi mai is PARIVARTAK SE nikalne waali kirano ko bramhaand ke har grah se jod dunga....

aisa hone ke baad VIKRAM chah kar bhi SHADOW WORLD ko khatm nahi kar paayega kyunki SHADOW WORLD ke khatm hone ke saath saath usse jude hone ke kaaran saare grah bhi khatm ho jaayenge.....

AUR ISILIYE.........

YA TOH VIKRAM KO APNI KURBANI DENI HOGI YA FIR PURE BRAMHAAND KI.......

AAJ KE LIYE ITNA HI.......

APKA APNA V.J
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM BHUVIKA KO EK SHAKTI PUNJ ME BADALKAR USSE ANALIA KE ANDAR DAAL DONO KO COURIOUS BHEJ DETA HAI WAHIN ASMODEUS BEELZEBUB KO APNA VIKRAM KO GALE LAGANE KA KAARAN BATATA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA UPDATE-104

PART-1

PLACE-TWISTED DIMENSION

EK BAAT PUCHUN?????

MAI- HMM.PUCHO....

AVANTIKA-kuch hua hai naa..i mean tumne kuch kiya hai naa!!!!!
aur saath hi tumhe kuch pata bhi chala hai...haina!!!!

AVANTIKA ke sawal par mai bas usse dekhkar muskura diya......

par mujhe muskurata dekhkar AVANTIKA ka shak yakin me badal gaya....

AVANTIKA- i knew it..mujhe laga hi tha ki kuch toh baat hai..jab se hum yahan wapas aayen hain,tumhare chehre par do do expressions ek ke baad ek lagatar ban rahe hain.....

aur mujhe lag raha hai ki ho na ho,hum jo kuch der pehle MONSLICKEL gaye the,wahin kuch na kuch hua hai.....RIGHT!!!!!

AVANTIKA ki baat sun maine ek baar firse uski taraf muskurakar dekha....

MAI- aur aisa tumhe kyun lagta hai????

AVANTIKA- well,MONSLICKEL se aane ke baad se hi maine tumhare chehre par thodi tention aur thodi khushi notice ki thi par us waqt ANALIA aur BHUVIKA ka matter tumhe solve karna tha isiliye tum apni feelings ko control me rakhe hue the par yahan aane ke baad wo feelings fir tumhare chehre par dikhne lagi hai.....

AVANTIKA ki baat sun maine ek lambi saans chhodi aur........

MAI-tum sahi ho......MONSLICKEL jaakar mujhe ek faayda bhi hua hai saath hi kuch pata bhi chala hai...

jo faayda hua hai ussiki wajah se mai khush hun aur jo pata chali hai,uski wajah se bhi mai khush hun par saath saath thoda tention bhi ho gaya hai.....

AVANTIKA- kya mai tumhari khushi ki aur tention lene ki wajah jaan sakti hun....!!!!!???

AVANTIKA ki baat sunkar usse dekh mai fir ek baar muskuraya..

maine apni hatheli ko uske gaal par rakh diya..mere aisa karte hi AVANTIKA ne bhi apna sir meri hatheli par jhuka sa liya...

MAI-saaya mai dekhunga,aur
tum aks ko PEHCHAAN JAOGI....

mere dimag me ubhri har baat
tum,sirf tum hi JAAN PAAOGI.....

meri baat sun AVANTIKA muskura uthi...uske sawal ka jawab toh mujhe usse dena tha hi par usse pehle.....

maine apna dusra haath aage kiya..mere aisa karte hi meri banayi shield jo is waqt mere saamne hi thi,wo hat gayi...
us shield ke hathethe hi hum dono ki yaadein wapas hum dono ke dimag ke andar sama gayi.....

yaad ke dimag me wapas jaane se AVANTIKA ki aakhen ek second ke liye band hui fir khul gayi....mera dusra haath abhi bhi uske gaal ko sehla raha tha....

kuch der tak yunhi rehne ke baad maine baat aage badhayi.....

MAI- mere khush hone aur tention me hone ki kadi ek hi hai...

meri baat sun AVANTIKA ke maathe par sawal ke siwaten ubhar uthi...

MAI-yaad hai MONSLICKEL se nikalne se pehle ASMODEUS ne mujhe gale lagne ko kaha tha...

AVANTIKA- haan,par mujhe uska tumse aisa kehna thoda ajeeb laga tha...

MAI-hmm.jaise hi mai aur ASMODEUS ek dusre ke gale lage,mere dimag me kuch visions dikhne lage....

AVANTIKA- kaise visions???

MAI- kisi planet ki aur wahan moujud logon ki...sabse ajeeb baat ye thi ki us planet ke log actual me spirits jaise lag rahe the.. i mean unke bas shadows the,bodies nahi thi.....

aur jaise COURIOUS ke log jab shraapgrast the,toh jis tarah unke body me thodi thodi der me cuts ban jaate the,waise hi un SHADOWS ke neeche thodi thodi der me aag jal rahi thi jiski wajah se unhe kaafi taklif ho rahi thi....ussi visions ya fir ye kahun ki us planet ke logon ki haalat ki wajah se hi mujhe thodi tention ho gayi hai....

AVANTIKA jo bade dhyan se meri baat sun rahi thi,jaise hi maine COURIOUS waali baat ka example diya,uske kaan khade ho gaye...

aur jaise hi maine apni baat khatm ki......

AVANTIKA-ye sab visions tumhare dimag me daalkar tumhe dobara fasane ke liye ye pakka ASMODEUS ki koi nayi chaal hai.....

MAI- ho bhi sakta hai.....

AVANTIKA- ho bhi sakta hai matlab???wo visions yunhi tumhare dimag me kaise aa jayenge aur khaas karke tab jab tum ASMODEUS ke gale lage hue the...

MAI-agar wo ye nahi kehta toh mai usse aisa kuch karne ke liye kehne waala tha....

AVANTIKA- matlab!!!mai samjhi nahi....

MAI- mera matlab mai khud chahta tha ki kisi tarah mere aur ASMODEUS ke body ka koi connection ho jaaye aur uske mujhe gale lagate hi meri khwahish puri ho gayi....

AVANTIKA- par kyun????

maine kuch kaha nahi aur pehle apna right hand har taraf ghuma diya.....mere aisa karte hi mere haathon se ek moti ray nikli aur ek bade se chaadar ka roop lete hue us ray hamare charon taraf fail gayi ya fir ye kahun ki hume us ray ne khudke andar dhak sa liya tha.....

ab ye jagah puri tarke se surakshit thi....hamare aas paas ki jagahon ko chaaron taraf se dhakne ke baad ek baar maine apne dono haath failaye aur aakhen band kar lin.....

agle hi pal mere pure sharir se rays ki ek halki si parat baahar nikli aur mere aur AVANTIKA ke saamne aakar khadi ho gayi....

par us ray ko dekhkar AVANTIKA ki aakhen badi ho gayi.....

AVANTIKA-ye toh......

MAI-ASMODEUS ki BLACK ENERGY ka ek kan hai......

maine AVANTIKA ki baat ko pura kiya...

AVANTIKA-par ye tumhe kaise mila aur iski tumhe kya zaroorat padh gayi???

MAI-maine kaha tha naa ki agar ASMODEUS mujhe gale lagne ko nahi kehta toh mai hi usse aisa kuch karne ko kehta....

wo maine inhi rays ko paane ke liye kaha tha....mere aur ASMODEUS ke gale lagte hi uski urja meri urja se chipak gayi aur hamare alag hote waqt uski urja ke kan meri urja ke andar sama gaye jinhe maine apni urja me badalne se pehle hi kaid kar liya jisse wo apna swaroop na kho paayen....

jo visions mujhe ASMODEUS ke gale lagte hi dikhe the,wo in rays ki wajah se bhi dikh sakte hain isiliye jab tumne kaha ki ASMDOSEUS ne hi mere dimag me un visions ko daala hai,toh maine ho bhi sakta hai kaha tha.....

AVANTIKA- ASMODEUS ki urja ke kan bina uski ijazat ke tumhare andar kaise sama gaye???

MAI-tum do baatein bhul rahi ho...pehli ye ki WHITE ENERGY se hi BLACK ENERGY bani hai,BLACK ENERGY se WHITE EENERGY nahi...

isiliye WHITE ENERGY jab chahe BLACK ENERGY ko apne andar kheench sakti hai par BLACK ENERGY ko aisa karne ke liye bohot se measures lene padenge...

dusra ASMODEUS bhi kisi zamane me ek ANGEL tha...uske DEVIL LORD banane ke baad bhi uske sharir me WHITE ENERGY lagatar doudti rehti hai..

infact uski BLACK ENERGY ko shaktiyan bhi uske sharir me basi WHITE ENERGY hi deti hai aur issi wajah se ASMODEUS itna khatarnaak hai....

par fir bhi ASMODEUS ab sirf WHITE ENERGY ka ek dhaarak hi hai,naahi wo unka maalik hai aur naahi uska uttaradhikari...

un rays ka uttaradhikari mai hun aur issi wajah se jab uske sharir me lipti BLACK ENERGY meri urja se prabhavit hokar mujhse lipti toh maine un energy ke saath aaye WHITE ENERGY ko command kiya ki mujhe uske andar moujud BLACK ENERGY ke kuch kan chahiye toh un WHITE ENERGY ne bina ASMODEUS ke zehen me aaye uske sharir se nikalne waali BLACK ENERGY ke kuch kano ko mere andar transfer kar diya....

AVANTIKA-oh.....

MAI- ye tha tumhare kaise kiya ka jawab ab bacha tumhara dusra sawal ki aisa karne ki mujhe kya zaroorat padh gayi....????

AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas mujhe dekhti rahi....

MAI-kal jo mera yahan par dusra kaam tha,uske baare me maine tumhe kuch bataya th???yaad hai!!!

AVANTIKA-haan,tumne kaha tha ki us kaam me thoda zyada waqt lag jaayega....

MAI-hmm...aur wo zyada waqt lagne waali baat maine isiliye batayi thi kyunki.............

Fir maine AVANTIKA ko kal ke mere kaam me deri hone ki wajah batayi aur saath ne ye bhi bataya ki mai ASMODEUS ki BLACK ENERGY kyun laaya hun....

Meri baat sunkar AVANTIKA ke chehre par satisfaction me bhaav aa gaye.....

AVANTIKA-toh ab????!!!!

MAI- kal jo spell maine tumhe bataya tha,wo yaad hai....

AVANTIKA- OFCOURSE.....KAWACHAM PARIVARANAM...

MAI- very good...toh jaisa tumne kal kiya tha tumhe aaj bhi thik waisa hi karna hai...tum dhyan me baitho aur jaise hi meri urja ka bhaag tumhare sir ko touch kare,SPELL bol dena..

AVANATIKA-cool....

AVANTIKA mere baaju me hi dhyan mudra me baith gayi..uske aankh band karte hi mere haath se meri urja nikli aur uske sir ke upar jaakar rook gayi...

Fir mai bhi dhyan awashta me baith gaya...aur agle hi pal........

Meri urja mere sharir ke baahar aa gayi.....jaisi hi meri urja meri sharir se baahar aayi......

kal hi ki tarah aaj bhi ek ke baad ek do chizen hui....

UDDHARAGRAHATI ZAKTI PRAKATI KAROTI

BORROWED POWER UNFOLD

mere mooh se pehla SPELL nikla aur uske agle hi pal....

KAWACHAM PARIVARANAM....

SHIELD COVER

mere SPELL bolne ke agle hi pal AVANTIKA ke sir ke upar jo meri urja ka kan rooka hua tha,wo uske dimag me pravesh kar gaya aur aisa hote hi AVANTIKA ke mooh se uske dwara kahe jaane waala SPELL nikla.....

Aur fir dobara ek ke baad do chizen huin....

Pehli ye ki mere SPELL ki wajah se kal waaii chiz dobara mere andar se nikli aur aisa hote hi meri urja ne usse khinch liya....

Aur jaise hi us chiz ne meri urja ko chhua,meri urja kal.hi ki tarah disbalance ho gayi aur ussi haalat me mere karib aane lagi par isse pehle ki wo mere body ko chhuti,

Dusri cheez ho gayi aur wo ye ki AVANTIKA ke SPELL ke prabhav se uske sharir se uski SHIELD baahar aa gayi aur usne mujhe aur AVANTIKA ko apne ghere me le liya..

Meri urja sidhe jaakar AVANATIKA ke SHIELD se takrayi aur piche hat gayi....

Wahin meri urja aur us dusri chiz ke milte hi meri aakhen khul gayi....

Mai ek tak apni urja ko dekhne laga..darasal mai apne irja ke andar moujud chiz ko scan kar raha tha par kal hi ki tarah aaj bhi mujhe koi khaas faayeda nahi hua aur isiliye maine apne haath ek baar firse aage kar SPELL kaha....

RAVADONAM......

INSERT......

SPELL bolne ke baad mai dobara meri urja ke andar moujud chiz ko scan karne laga...kuch der laga par fir mujhe finally kaamiyabi mili.....

Jaisi hi mera kaam khatm hua,maine apni urja ko us chiz se jo filhal usse mili hui thi,alag kar diya...

Dono ko alag kar maine AVANTIKA ki shield wapas uske sharir me pahuncha di aur apni urjo ko wapas khud me samane diya.....

Shield ke wapas sharir me jaate hi AVANTIKA ke andar jo meri urja thi wo usse baahar aakar mujhme sama gayi...

Meri urja ke nikalte hi AVANTIKA ki aankhen khul gayi aur usne jhat se meri taraf dekha...

Mere chehre par muskaan dekh AVANTIKA samajh gayi mera kaam pura hua..

Hum dono khade hue..maine AVANTIKA ko apni baahon me le liya.....

Kuch der tak yunhi rehne ke baad.....

AVANTIKA-AB!!!!!

maine kuch kaha nahi bas ek baar firse haath aage kar diye...aisa karte hi mere haathon se meri urja baahar aayi aur saame hawa me tairti hui us chiz aur uske saath saath jo ASMODEUS ki urja mai laaya tha,usse jaakar takrayi...

Agle hi pal ek chota sa dhamaka hua...dhamaka hote hi wahan roshni hui aur jaisa ki maine bataya tha ki TWISTED DIMENSION me roshni nahi tikti,isiliye dhamake ki roshni ke ubharte hi TWISTED DIMENSION ne us roshni ko khudme sokh liya.....

Ab naa wo chiz bachi aur naahi ASMODEUS ki wo energy jo mere saath saath yahan aayi thi.....

yahan ka kaam ab khatm ho chuka tha...maine jo shield apne charon taraf bichayi thi,usse hata diya....

MAI- chalen!!!!!

AVANTIKA ne haan me apna sir hilaya aur agle hi pal hum dono gaayab ho chuke the.....

PLANET-MONSLICKEL

PLACE- ASMODEUS PALACE

FATHER,MUJHE.............

ASMODEUS-BHUVIKA mehsoos nahi ho rahi hai,yahi kehna chahte ho naa!!!!

BEELZEBUB ki baat ko ASMODEUS ne pura kiya....

BEELZEBUB- ji FATHER....

ASMODEUS- wo isiliye kyunki tumhara usse sambandh toot chuka hai.....itna hi nahi,BHUVIKA ab DEVIL bhi nahi rahi....

apne pitah ki baat sunkar BEELZEBUB chownka....

BEELZEBUB- par ye kaise sambhav hai FATHER???BHUVIKA aur mai toh ek dusre ki shaktiyon se jude hue the..bina ek dusre ki marzi ke hum dono kaise alag ho sakte hain???

aur BHUVIKA ab DEVIL nahi rahi...ye kaise ho sakta hai???hamari prajati me aaya toh jaa sakta hai kintu is yoni se nikla nahi ja sakta...

BEELZEBUB ki baat sunkar ASMODEUS ne usse ghur kar dekha jisse BEELZEBUB sakpaka gaya....

ASMODEUS- jisne DEVILS ki rachna ki,tum usse DEVILS ke swaroop ke baare me bata rahe ho....!!!!!

ASMODEUS ki baat sun BEELZEBUB ka sir neeche jhuk gaya....

ASMODEUS-BHUVIKA ek DEVIL me badli zaroor thi,par ye mat bhoolo ki uske andar WHITE ENERGY pehle se thi...

aur wo bhi itni maatra me jiski wajah se uske andar tumhare khoon dwara daali gayi BLACK ENERGY se bhi koi fark nahi pada tha....

uske andar DEVILS ki soch aur shaktiyan toh aa gayi kintu uske andar pehle se moujud WHITE ENERGY ki wajah se sthyayi roop se wo shaktiyan uske sharir par kabhi kabza nahi kar paayi...

aur ye baat VIKRAM ko pata thi.....isiliye usne ussi WHITE ENERGY ki madad se jo ki BHUVIKA ke andar pehle se moujud thi,hamari ENERGY ko baahar nikal diya...

aur aisa hote hi tum dono ka ek dusre se sambandh toot gaya....

ASMODEUS ki baat sun BEELZEBUB ne kuch kaha nahi bas haan me apna sir hila diya....

ASMODEUS- jo beet gaya usse bhul jaao,jo aane waala hai,usse grahan karo....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB ne sawal bhari nazaron se uski taraf dekha....

ASMODEUS- yaad hai CROSS WORLDS me mere andar teen rays samayi thi aur maine tumhe bataya tha ki unme se ek ray tumhare liye hai....

ASMODEUS ki baat sunkar BEELZEBUB ki aankhen chamak uthi...ASMODEUS ki baat sunkar usse andaza ho gaya tha ki usse ab un rays ke baare me pata chalne waala hai.....

BEELZEBUB- ji FATHER..aur un rays ke baare me jaanane ki jigyasa abhi bhi mere man me prabal hai....

BEELZRBUB ki baat sunkar ASMODEUS muskura utha....

ASMODEUS-hmm...baaki dono rays ke jaanane se pehle us ray ke baare me jaanlo jo tumhare liye hai....

fir uske baad ASMODEUS ne BEELZEBUB ko us ray ke baare me batana shuru kiya...

BEELZEBUB ko pata tha ki ASMODEUS ke dimag ka koi saani nahi par fir bhi jaise hi ASMODEUS ne BEELZEBUB ko uske istemal ki ray ke baare me bataya,uski aankhen hairat se faile gayi aur uske mooh se anayas hi nikal gaya ki.....

BEELZEBUB- kya aisa ho sakta hai!!!!???

par apni baat keh BEELZEBUB ghabra gaya.usse laga ki uska aisa kehna ASMODEUS ko uski touhin bhi lag sakti hai...aur is wajah se uski aakhon me dar dikhne laga.....

par BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS naaraz nahi hua,balki uski muskurahat aur gehri ho gayi....

ASMODEUS- ghabrao mat.....

itna hi kaha ASMODEUS ne par utni hi baat sun BEELZEBUB ka naa sirf dar khatm ho gaya balki uske man ki jigyasa fir se badh gayi...

aur wo isiliye kyunki ASMODEUS dwara bataye gaye ray ke raaz ki wajah se ab wo baaki ke dono rays ke baare me jaanane ke liye adhir ho utha....

BEELZEBUB ki adhirta se ASMODEUS bhi bhali bhaati parichit tha aur isse pehle ki BEELZEBUB un do rays ke baare me puchta.....

ASMODEUS- baaki ki dono rays...............................

ASMODEUS baaki ki dono rays ke baare me batata gaya jisse sunkar ek baar firse BEELZEBUB ki aakhen chowdi hoti chali gayi....

aur jaise hi ASMODEUS ne apni baat puri ki....

BEELZEBUB-TOH ISILIYE DOOR KIYA THA AAPNE VIKRAM SE UNKA ASTITV,AUR BADLA THA UNKA ATTITUDE.....

PLANET-MIRRORS WORLD

PLACE-PLANETS BORDER

ABBE YE KAISA PLANET HAI???PURA VIRAAN PADA HUA HAI...AUR WO DOOR ME KYA CHEEZEN HAIN JO CHAMAK RAHI HAI.....?????

MUJHE VISHWAS NAHI HO RAHA.YE TOH MIRRORS WORLD HAI......

isse pehle ki mai RONIT ki baat ka koi jawab deta,uske baaju me khadi SHAILA ne full excitement me apni baat kahi..

Excited sirf SHAILA hi nahi hui thi, balki khudko MIRRORS WORLD me khada dekh SHAILA ke dusri side me khade AKSHAANT aur MOKALSAR bhi kaafi khush ho gaye the.....

Dono ke chehre par is waqt bohot badi muskaan thi.....

Kal TWISTED DIMENSION se loutehthe mujhe aur AVANTIKA ko raat ho gayi thi....RONIT ko maine call karke aaj ghar par aane ko kaha tha.

Jaise hi RONIT ghar aaya maine usse bataya ki hume 2 din ke liye kahin jaana hai....

Meri baat sun RONIT ki excitement badh gayi par isse pehle ki wo mujhse kuch puchta maine usse apni excitement shaant rakhne ko kaha...

Maine usse bas itna bataya ki hum jahan jaa rahe hain,wahan hum naa sirf mere kaam se jaa rahe hain balki wahan uska bhi ek bohot important kaam hai..

Aur wo kya hai,ye usse wahan pahunchke hi maalum padega...

Hum dono ne apne ghar waalon se do din ki camping par jaane ki permission le li aur wahin AVANTIKA ne kisi friend ki behen ki shaadi ka bahana bana liya.....

Ek sunsaan jagah par pahunch mai,RONIT aur AVANTIKA gaayab ho gaye aur sidhe VRIHAKH pahunche aur wahan se SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT ko saath lekar hum yahan MIRRORS WORLD ki sarhad par pahunche jisse dekhkar jahan ek taraf RONIT confused tha wahin dusri taraf SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT behad khush..

Aur in sab se alag AVANTIKA ko toh maine sab pehle se bata diya tha isiliye wo normal thi...

RONIT-oye AKSHAANT tu yahin paida hua hai kya???

AKSHAANT- nahi toh kyun????

RONIT- nahi SHAILA is jagah ko dekhkar aise khush ho rahi hai jaise ye iska sasural ho.....

SHAILA- ye sirf mera nahi balki har yodha ka,har sorcerer ka aur har bhuddhijeev ka sasural hai....

SHAILA ki baat RONIT ko samajh nahi aayi....par isse pehle ki SHAILA RONIT se kuch kehti.....

MAI- is jagah ko MIRRORS WORLD kehte hain....door wo cheezen jo tujhe chamakti hui dikh rahi hain,wo aur kuch nahi balki wo teen mirrors hai jinse hokar is duniya ke andar jaaya jaata hai....

RONIT- duniya ke andar matlab???

MAI-MIRRORS WORLD...GOD ke ijazat se AGRASENA ka banaya ek adhbhud GRAH...aisa grah jahan har vyakti apne hunar ko uski aakhri shikhar tak lejaane ke liye aata hai....

is grah ke andar sirf wahi jaa sakta hai jisse wo jo teen mirrors chamak rahi hai,unme se koi ek usse khud chune...

RONIT- MIRRORS chunti hain!!!!!par kis binah par????

MAI-Un teen mirrors me alag alag kaabiliyat chupi hui hai jiske binah par wo yahan pahunchne waale ka chunaav karti hai..

PEHLI MIRROR KI KAABILIYAT HAI COMBATING.....

har kaabil yodha ka chunav is mirror ke dwara hota hai....
Agar is mirror ke saamne khada hone waala yahan se yudh prashikshan lene ke kaabil hai,toh ye mirror usse apne andar kheench usse uske pehle padhav tak pahuncha deti hai.....

DUSRE MIRROR KI KAABILIYAT HAI SORCERY

har kaabil magician ka chunaav is mirror ke dwara hota hai....

TEESRE MIRROR KI KAABILIYAT HAI MIND GAMING...

har bhuddhiman vyakti ka chunaav is mirror ke dwara hota hai.....ye mirror kuch hard puzzles puchti hai,aur isme andar jaane ko iccha rakhne waale ko un puzzles ka sahi jawab dena padhta hai....

SHAILA-ek samay tha,jab hum teeno yahan aane ke liye bohit adheer the par baba (AKSHAANTS DAD) hum teeno se hi kehte the ki hum filhal us laayak nahi hain ki yahan aa saken....

Par fir humari mulakat VIKRAM se ho gayi aur usne hume itna sashakt bana diya ki humari yahan aane ki iccha khatm ho gayi....

Kintu BHUVIKA se saamna hone ke baad mujhe ehsaas hua ki hamari shaktiyan kaafi nahi hain.hume aur shaktiyan prapt karni hongi aur uske liye MIRRORS WORLD se behtar koi jagah nahi hai...

jab VIKRAM ne mujhe aur AKSHAANT ko BHUVIKA se aazad karaya tha,tab mere man me aur shaktishali banane ka vichar aaya tha jisse VIKRAM ne jaan liya tha aurisne mujhe ashwast kiya tha ki meri khwahish zaroor puri hogi aur aaj mujhe MIRRORS WORLD me laakar VIKRAM ne mujhe adhik shaktishali banane ka raasta dikha diya hai....

RONIT jo dhyan se meri aur mere baad SHAILA ki baat sun raha tha,SHAILA ki baat khatm hote hi.......

RONIT- mujhe nahi ki yahan se shaktiyan prapt karne ke baad bhi hume koi faayeda hoga..

Hum bhale hi bramhaand ke sabse shaktishaali yodha,magicians ya buddhijeev kyun naa ban jaayen par asuri shaktiyon se ya fir ye kahun ki un BLACK ENERGY ke dharakon se ladhna aur unse jeetna jinhe ASMODEUS ne apni shakti se taiyar kiya hota hai,lagbhag naamumkin hai.....

Yahan pahunchkar jo excitement un teeno me dikh rahi thi,RONIT ki baat sunkar wo aadhi ho gayi fir bhi ummid toh un teeno ko ab bhi thi aur isilye....

SHAILA- fir bhi,humari taakatein toh badh hi jaayengi naa aur waise bhi hamare paas aur koi vikalp bhi toh nahi hai.....

MAI- aur koi vikalp ho naa ho,par yahan in teeno mirrors se shakti haasil karne ka vikalp ab nahi raha...

Meri baats sunkar wo chaaron chownke.....

CHAARON-MATLAB....!!!!!!!

chaaron ke mooh se ye shabd ek saath nikla...

MAI- matlab ye ki in teeno mirrors ko shakti jiski wajah se milti thi,wo ab kaid me hai jiski wajah se ye ab kaam nahi karti....

Meri baat sunkar chaaron firse chownke par isse pehle ki unme se koi is baare me mujhse puchta,maine yahan AGRASENA aur BEELZEBUB ke beech hui ladhayi aur uske baad jo hua uske baare me bataya jisse sunkar sabhi nirash ho gaye....

SHAILA- matlab yahan se hume koi laabh nahi hoga!!!!!

MAI- maine aisa toh nahi kaha...

RONIT- Abbe tune hi toh bataya naa ki MIRRORS kaam nahi kar rahi...

MAI-aur tune bhi toh kaha tha ki MIRRORS se shaktiyan badhane par bhi koi khaas faayeda nahi hoga...

RONIT- bhai,mujhe itna toh maalum hai ki tere dimag me koi na koi idea hai jisse hume faayeda hone wala hai.par yaar,jo bhi baat hai,sidhe sidhe bata,teri ye ghumavdaar baatein mujhe ganit jaisi lagti hai aur tujhe toh pata hai ki mai maths me kitna weak tha....

RONIT ki baat sunkar mere saath saath sabhi has diye par saath saath baaki ke teeno ke man me bhi meri baat sunkar wapas ek ummid ki kiran jaag gayi thi......

MAI-tumhe yahan se shaktiyan milengi,aisi shaktiyan jinse tum sab kisi bhi adharmi ka chaahe wo kitna hi shaktishali aur maayavi kyun naa,naash kar paaoge....

Meri baat sun sabhi ke chehre khil gaye.....

RONIT- ab ye ki na tune mere bhai waali baat.....

MAI- par jaisa ki maine kaha tha,koi bhi cheez muft me nahi milti..usse paane ke liye keemat chukani padti hai...

Jis shakti ki mai baat kar raha hin,usse paane ke liye tumhe bohot khatre uthane padenge.....

RONIT- arre bhai,jaan bhi chali jaaye naa toh gum bhi koi gum nahi par ab yahan se jayenge toh apne lakhshya ka paar karke hi jaayenge...

SAB-bilkul.....

MAI- jaan kisi ki nahi jaayegi par jis chiz ko kaamna liye tum sab yahan aaye ho,agar kaamiyab nahi hue toh toh jo hai wo bhi tumse chhin jaayega....

Meri baat kisi ko samajh me nahi aayi...

MAI- tum sab yahan shaktiyan prapt karne aaye ho jisse paane ke liye tumhe unhi shaktiyon ke dwara bichhaye maaya jaal aur dusri chunoutiyon se ladhna padega aur jeetna padega par agar tum aisa karne me naakamiyab rahe,toh wo shaktiyan toh tumhe nahi milengi uske upar tumhare paas abhi jo shaktiyan hai,wo bhi tumse chhin li jaayengi...

Meri baat sunkar sabhi chownk gaye..kuch der tak ek dusre ko dekhne ke baad aankhon hi aankhon me sabhi ne jaise ek faisla liya aur.....

SABHI-hum taiyar hain...

Un chaaron ke faisle se mere chehre par muskaan aa gayi.....

RONIT-par yaar ye toh bata ki hume ye shaktiyan milengi kahan????

MAI-MIRRORS ke andar ki duniya me....

RONIT- than what are we waiting for..lets go...

Ye bol jaise hi RONIT ne apna ek kadam aage badhaya....

AAHHH........................

RONIT ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo udte hue piche jaa gira...

Kuch der tak apni situation ko samajhne ke baad apni kamar ko sehlaata hua wo khada hua....

Wahin RONIT ke saath jo hua usse dekh sabhi shocked ho gaye the....

MAI- tune itna bhi nahi socha ki jab hume MIRRORS ke andar se apne safar ki shuruat karni hai toh maine tum sab ko yahan MIRRORS se itni door grah ke sarhad par kyun prakat kiya....

RONIT-ab puchta hun bhai saala ye kya locha hai aur mujhe current koun chutiya maar gaya....

MAI-DIGVIJAY.....

mere mooh se DIGVIJAY sun jahan ek taraf MOKALSAR AKSHAANT aur SHAILA normal rahe wahin AVANTIKA aur RONIT chownk gaye....

RONIT-DIGVIJAY....!!!par wo toh mar gaya hai naa...!!!

MAI- haan,par jaate jaate ek aakhri kaand kar gaya hai.....

RONIT-matlab!!!

MAI-matlab GRAH DRWARAM BANDHAM...(UPDATE 62)

issi SPELL se DIGVIJAY ne MIRRORS WORLD ko har taraf se bandh diya hai......aur issi wajah se yahan ke sarhad ko paar nahi kiya jaa sakta....sirf BLACK ENERGY ke dhaarak hi is ghere ke andar jaa sakte hsin..

RONIT- Abbe toh tere liye kaun si badi baat hai..tod de uske bandhan ko....

MAI- mai aisa kar toh sakta hun par mere aisa karne se MIRRORS WORLD ke andar ki duniya ko nuksaan pahunch sakta hai aur mai aisa nahi chahta....

Haan agar mai is bandhan ke andar hota toh isse asani se tod sakta tha jisse is grah ko bhi koi nuksaan nahi hota par filhal toh mai baahar hun...

RONIT-Toh ab!!!!

MAI-ab ye........

Ye kehkar maine apna haath aage kiya..mere aisa karte hi mere haathon ke upar ek black ray naachne lagi jisse dekhkar sabhi chownk gaye....

SHAILA-ye toh BLACK ENERGY hai....

RONIT-ye tujhe kahan se mili????

MAI-ye wahi BLACK ENERGY hai jo BHUVIKA ke andar thi jisse maine baahar nikala tha....

RONIT- par isse toh tune dusri duniya me bhej diya tha naa..!!!

MAI- haan par sirf tab je liye jab tak BHUVIKA apne grah nahi pahunch jaati..kyunki agar mai isse BHUVIKA ke COURIOUS pahunchne se pehle wapas bula leta toh ye usse zaroor nuksaan pahunchane ki koshish karta par ab ye kuch nahi kar sakta....

RONIT- par tune isse wapas bulaya hi kyun hai????

maine kuch kaha nahi bas us BLACK ENERGY ko halka chu liya..mere aisa karte hi wo ek bade se ball me convert ho gaya....

Par wo ball har taraf se band nahi tha balki hamari taraf se khulla tha maano koi darwaza ho....

MAI- chalo....

Ye bol mai us BLACK ENERGY ke ball ke andar chala gaya..
Mere piche piche baaki sab bhi uske andar aa gaye...

RONIT- kamaal hai....BLACK ENERGY ke andar hone ke baawjud ye hume nuksaan nahi pahuncha raha hai...

AVANTIKA-duffer... WHITE ENERGY ke waaris ke saath khada hai tu..aise me koi shakti tujhe kaise nuksaan pahuncha sakti hai....

AVANTIKA ki baat sun mai muskura diya.sabke andar aate hi maine apna haath aage kiya...mere aisa karte hi wo BLACK ENERGY ki ball aage badh gayi....

Is baar kuch bhi nahi hua.. hum aaram se us bandhan ke andar chale gaye..

Bandhan ke andar pahunchte hi maine apne haath aage kiye aur......

BANDHAN AKLONAM.......

SHIELD BLAST..........

mere SPELL bolte hi DIGVIJAY ka banaya gaya bandhan blast ho gaya par kyunki hum is waqt us bandhan ke andar the isiliye grah ko koi nuksaan nahi hua...

Bandhan ko todne ke baad mai sabhi ko lekar us BLACK ENERGY ke ball se bahar aa aaya aur aur agle hi pal wo BLACK ENERGY bhi gaayab ho chuki thi.
Maine usse wapas uski andhere ki duniya me bhej diya tha......

RONIT- saale,ye sab pehle nahi kar sakta tha...befaltu ka mujhe itni zor ka jhatka laga.....

MAI-apni sadhi buddhi lagane se fursat mile toh tu kuch sune naa... faayde ki baat suni nahi ki uchalna shuru....

Mai kuch bataun usse pehle hi tu aage badh gaya tha..

RONIT- Abbe toh tu rok bhi toh sakta tha....

MAI- fir tujhe seekh kaise milti ki hadbadi me hamesha gadbadi hoti hai.....

RONIT kuch kehne hi waala tha ki....

AVANTIKA- baaki ki ladhayi ghar wapas jaakar kar lena..abhi aage badhen....

MAI- aur kitna aage...pohonch toh gaye hum......

Meri baat sun jab sabhi ne saamne dekha toh chownk gaye...kyunki is waqt hum THE THREE MIRRORS ke saamne khade the....

RONIT aur meri behes me sab hum dono me itna involve ho gaye the ki kisi ko bhanak tak nahi lagi ki maine sabko gayab kar yahan MIRRORS ke saamne laa diya hai.....

Jaise hi sabki nazar saamne hawa me khadi un teeno bade bade mirrors par gayi toh unhe meri kahi gayi baat yaad aayi...

Teeno mirrors ke neeche bade bade aksharo me un MIRRORS ki kaabiliat likhi hui thi.....

AVANTIKA- MIRRORS ki shaktiyan toh khatm ho gayi hai naa..fir hum andar kaise jaayenge.....

Maine kuch kaha nahi bas pehle AVANTIKA ko muskurakar dekha aur aage badh teeno mirrors ke beech khada ho gaya....

Beech me khada ho maine ek baar palat kar AVANTIKA ko dekha aur.....

MAI- har shakti mujhse hi hai aur mai us shakti se....aur ab mai yahan hun toh in MIRRORS ki shakti bhi yahin hai.....

Ye bol maine saamne MIRRORS ki taraf dekha aur apne haath faila diye...

Mera aisa karte hi mere sharir se ek tez chamakdar kiran jo ki meri hi urja thi wo nikli aur teeno mirrors se jaakar takrayi.....

Aur aisa hote hi.......

Wo teeno mirrors tez chamakne lagi....aur agle hi pal.....

Dono side ke mirrors ek jhatke me beech waale mirrors se takraye par ye kya????

Takraane se kisi bhi mirror ko koi nuksaan nahi hua ulta side waale dono mirrors beech waale mirror le andar sama gaye....

Aur aisa hone ke dusre hi pal.....

Us bache hue ek mirror ke beech se ek tez roshni ki beam nikli aur mere seene ke beech me padi...

Aisa hote hi mai us beam ke through mirror ki taraf kheenchane laga..

Wahin jaise hi mai kheenchane laga,mere sharir se bhi 5 rays nikli aur jaakar un paanchon se takrayi...

Aisa hote hi wo paanchon bhi meri hi tarah kheenchane lage...

Aur kuch hi der me hum sab mirror ke dusri taraf the....

ADVENTURE BEGINS:-

UNBELIEVABLE......yaar baahar se dekh kar koi andaza bhi nahi laga sakta ki ye jagah aisi bhi ho sakti hai.....

jaise hi hum MIRROR ke through MIRRORS WORLD ke andar aaye,toh yahan ke nazare ko dekh kar sabhi shocked ho gaye...

mirror ke dusri taraf jahan se hum yahan aaye the,wahan ka pura ilaka banzar tha jabki ye jagah jahan hum sab abhi khade the,wo puri hari bhari thi.....

har taraf ped hi ped poudhe aur upar neela akash..behad hi khubsoorat prakrutik drishya....

RONIT- yaar kitna acha mousam hai yahan ka aur wo dekho,wahan door me kuch chamak raha hai...

RONIT ne saamne point karte hue kaha...

MAI- wo chamkili jagah hi tum sabki manzil hai....

meri baat sunkar sabhi shocked hokar mujhe dekhne lage....

MAI- haan,wo wahi jagah hai jo tumhe ya toh asadharan shaktiyan dega ya fir tumse tumhari shaktiyan cheen lega....

meri baat sunkar sabhi ke aankhon me ek chamak aa gayi.....

RONIT- bhai ab aur intazar nahi hota...chalo chalte hain.....

ye bolkar RONIT aur uske saath baakiyon ne apne kadam aage badhaya hi the ki.....

SAAYEN SAAYENNNN SAAYENNNN.......

hazaron ki taadad me teer tezi se mere doston ki taraf aaye...

aur sabse badi baat ye thi ki wo teer adrishya the aur saath hi unke hawa ko cheerte hue aane ki aawaz bhi tni kam thi shayad hi koi usse sun paaye....

mout bankar aate hue wo teer mere doston se kuch door aakar visible ho gaye jisse mere doston ne dekh liya....

par un teeron ki speed itni zyada thi ki itne kam time me mere dost usse rokne ke liye naahi koi SPELL bol sakte aur naahi uske raaste se hat sakte the...

koi faisla na le paane aur un paine teero ke ekdum kareeb aa jaane ki wajah se sabhi ki aakhen band ho gayi aur agle hi pal.....

tannnn............

wo saare teer ek adrishya lohe ki diwal se takrate chale gaye....

wahin apne saamne se aa rahi aawaz ko sun sabhi ne apni aakhen kholi aur teer ki ho rahi dasha ko dekh pehle toh sab chownke par fir mera ehsaas hote hi sabhi normal ho gaye..

wahin kuch der tak lagatar teeron ki baarish hoti rahi par fir mere doston ko koi nuksaan na hote dekh teeron ka aana band ho gaya....

AVANTIKA- ye sab kaun kar raha hai..??kahin ye bhi BEELZEBUB ka koi maaya jaal toh nahi hai....

MAI- nahi......DHANUR,mai apko dekh sakta hun....saamne aa jaiye.....

jaise hi meri baat khatm hui,mere saamne kuch hi door par ek tez roshni hui aur us roshni ke beech se DHANUR baahar aaye jinke aankhon me vismay ke bhaav the....

DHANUR- kaun ho tum....????

par maine kuch kaha nahi bas muskurate hue DHANUR ko dekhne laga par jitna mai muskura raha tha,utna hi DHANUR ke chehre ka rang udta jaa raha tha..

reason..DHANUR ke mujhse mere baare me puchte hi mai apne asli roop me sirf unhe dikhne laga...

meri asliyat jaankar ya fir ye kahun ki dekhkar DHANUR dar gaye...unhe lagne laga ki LORD OF ANGELS ke upar baan varsha karke unhone ek bohot bada paap kiya hai aur isiliye.....

wo jhat se mere pairon ko chune ke liye aage badhe par maine unhe rok diya....

MAI- aap apna kaam kar rahe the isiliye aap lajjit mehsoos naa karen...

pichli baar BEELZEBUB ke aane ke samay aap yahan nahi the aur ussi beech AGRASENA ke saath jo kuch bhi hua uski wajah se aap khud ko gunehgaar maan rahe hain par yakin maaniye aisa kuch bhi nahi hai..

jo hua,usse hona hi tha.....aur rahi AGRASENA ki baat toh ab jab mai yahan hun toh wo azaad ho jaayenge....

DHANUR ne kuch kaha nahi bas mere aage haath jode khade rahe....

MAI-mai unke man me uth rahe sawal se bhali bhaali parichit tha par filhal mujhe mere doston ko us chamakti cheez ke paas lejaakar uske baare me batana bohot zaroori tha isiliye....

MAI- chaliye,us taraf chalte hain...

ye bol mai hawa me uth gaya aur mere saath saath DHANUR AVANTIKA aur mere baaki ke dost bhi uth gaye aur hum sab tezi se aage badhne lage aur kuch hi palon me hum us chamakti jagah ke paas khade the....

par ab jo hum us chamakti jagah ke paas
Pahunche,toh us jagah ko dekh sabhi chownk gaye.....

SHAILA- ye toh....

MOKALSAR-taalab hai.....(update 21)

RONIT- par ye kaala kyun hai???

AKSHAANT- aur iske upar kya chamak raha hai???

sabhi ne ek ek kar apne saare sawaal puch liye...

MAI- yahi hai tumhari manzil........

AGRASENA ne ek SWORD ke zariye is pure grah ko banaya tha..us SWORD me aseemit shaktiyan WHITE ENERGY ki shaktiyan thi..aisi shaktiyan jo sirf ANGELS me hoti hain......

par is duniya ko banane ke liye AGRASENA ko SWORD se jitni urja ki zaroorat thi,SWORD se usse doguna maatra me urja baahar aa gayi jiski wajah se ye grah banane ke baad asthir ho gaya.....

yahan ke sthirta ko kaayam rakhne ke liye AGRASENA ne baaki ki urja ko is taalab me badal diya.....par uske baad bhi yahan ki urja bohot zyada thi jisse sthir karna bohot zaroori tha....

aur isiliye AGRASENA ne THE THREE MIRRORS banaye aur saath hi bramhaand ke laakhon kaabil yodhaon,magicians,aur buddhi jiviyon ko yahan bulakar unke kala ko nikhaarna shuru kiya....

in shakti arjit karne waalon me WHITE ENERGY ke dhaarak bhi the aur BLACK ENERGY ke bhi jinme DIGVIJAY aur BEELZEBUB bhi shaamil hain....

har koi jo yahan aata aur yahan ke saare parikshaon me uttirn hota toh AGRASENA usse yahan is taalab me le aate aur yahan wo dubki lagata..

isse uski shaktiyan kaafi guna tak badh jaati thi par yahan dubki lagane waale ko ye nahi pata hota tha ki uske dubki lagate hi uske sharir ki safed ya black urja ka ek bhaag is taalab me hi reh jaata tha....

ye taalab isiliye hi kaala hai kyunki yahan shaktiyan prapt karne ke liye aane waale zyadtar log BLACK ENERGY ke dhaarak rahe hain aur jo chamkili parat is talab ke upar bichi hui hai wo yahan aane waale WHITE ENERGY ke dharakon aur khud SWORD ki urja ki wajah se hai....

mere saare dost meri baat dhyan se sun rahe the..meri baat khatm hote hi....

RONIT-ab hume kya karna hoga...???

RONIT ke sawal par maine kuch kaha nahi ba apne haath aage kar diye..mere aisa karte hi mere ugliyon se WHITE ENERGY ki rays nikalkar talaab me jaane lagi aur aisa hote hi talaab ka rang halka halka badalne laga..

kuch hi der me talaab ka rand aadha kaala aur aadha safed tha....

taalab me aaye is naye parivatan ko dekhne ke baad RONIT firse kuch kehne hi wala tha ki maine usse dobara talab ki taraf dekhne ke liye kaha aur jaise hi usne talab ki taraf wapas nazarein ghumayin....

RONIT-abbe ye darwaza kahan se ban gaya???

MAI- RONIT ka sawaal sabhi ka tha..sabhi meri taraf dekhne lage...

MAI- asuri shaktiyon se ladhne ke liye tumhare andar ANGELS ki urja honi chahiye par us urja ko tum sab ka sharir filhal bardasht nahi kar sakta...

par itne saalon se BLACK aur WHITE ENERGY ko khudme sametne ki wajah se ye talab ek tarah ke shield ke parivatit ho gaya hai......

ek aisa shield jisne agar tum sab ko apna liya toh tumhare sharir ke andar rehkar ye tumhe ANGELS ki WHITE ENERGY ko dhaaran karne ke laayak bana dega...

par ye itna asaan nahi hai....maine apni urja se is taalab ki urja ko baandh diya hai par aisa karne se iski shaktiyan usse alag hokar asthir ho gayi hain.....

jo darwaza tum dekh rahe ho wo un shaktiyon ne banaya hai....jo bhi us darwaze ke andar jayega usse is taalab ki shakti se ladhhkaar jeetna hoga...

agar wo aisa karne me kaamiyab hua toh is talab ki shaktiyan ek kawach ka roop le lengi aur jaise hi aisa hoga,wo kawach aur urja wapas ek dusre se milkar unhe harane waale ke sharir ke andar chali jaayengi....

par agar aisa nahi hua toh taalab ki shaktiyan usse ladhne waale ki shakti bhi usse chhin lengi aur dobara wo aur urja pehle jaisi ek ho jaayengi.....

kya tum sab taiyar ho....

SAB-haan,hum taiyar hain...

RONIT- ab tu bhi jaa aur AGRASENA ko bacha kar le aa.....

RONIT ki baat sunte hi meri nazar DHANUR par gayi jo meri taraf hi dekh rahe the aur ab bhi unke chehre par sawaal the....

MAI- mujhe pata hai ki AGRASENA ke paas jo SWORD hai wo meri hai.....

meri baat sunkar DHANUR ke chehre se aadhi tention nikal gayi par aadhi abhi bhi thi jo ki asal me main tention thi...

DHANUR- aapko ye bhi pata hoga ki BEELZEBUB ne aapke talwar ke saath kuch chhal kya hai..aur agar aapko talwar tak pahunchna hai toh pehle BELELZEBUB ki maaya jo ki asal me ASMODEUS ka maaya jaal hai,usse todna hoga...

MAI- mujhe pata hai....

RONIT- aap tention mat lijiye,ye un sab maaya jaalon ko zaroor tod dega...

RONIT jo abhi bhi mere paas hi khada tha,usne DHANUR ki baat ka jawab diya...

DHANUR-is baat ka toh mujhe bhi yakin hai ki LORD us maaya jaal ko zaroor tod denge kintu....

RONIT- par kya???maaya jaal ka hi toh tention hai naa???

DHANUR- asli taklif toh usske baad shuru hogi....

SHAILA- matlab????

DHANUR-bhale hi talwar LORD ki hai par GOD ne usse AGRASENA ke hawale kiya tha...isiliye maayajaal ke haththe hi SWORD wapas AGRASENA ke paas chali jayegi....

RONIT- haan toh V.J AGRASENA se apni SWORD wapas le lega naa.....

DHANUR-ye itna asaan nahi hai....AGRASENA yunhi LORD ko SWORD nahi dega....

RONIT- matlab???

DHANUR-SWORD haasil karne ke liye LORD ko ek naamukin kaam ko mumkin banana hoga....

AVANTIKA- kaisa kaam???

DHANUR-aapki SWORD jo filhal AGRSASENA ki milkiyat hai aur jiske rehte AGRASENA ko ek kharoch tak nahi lag sakti....

AAPKO USSI SWORD SE AGRASENA KO MAARNA HOGA.....

AAJ KE LIYE ITNA HI.....

AAPKA APNA V...J.....
 
Back
Top