AB TAK AAPNE PADHA KI ASMODEUS BEELZEBUB KO THE THREE RAYS KA RAAZ BATATA HAI WAHIN VIKRAM AND COMPANY MIRRORS WORLD PAHUNCH CHUKE HAIN
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVIL'S DEMOLITION)

MEGA UPDATE-105

PART-2

PLANET-MIRRORS WORLD

THE ADVENTURE CONTINUES:-

BHAIYON,YE SIR TOH LAG GAYE KAAM PE.AB HAMARI BAARI.....

PAR ANDAR JAANE SE PEHLE HUME KOI YOJNA BANA LENI CHAHIYE.......

RONIT & PARTY ko talaab ke aur unki chunouti ke baare me sab kuch batakar mai aur AVANTIKA apne chunouti ke saamne ya fir ye kahun ki BEELZEBUB ke dwara rachi gayi maayajaal ke saamne jaane ke liye gayab ho gaye......

wahin DHANUR ab bhi mere doston ke saath hi khade the....

humare jaane ke baad RONIT ne baat aage badhayi jiske jawab me SHAILA ne apni baat rakhi....

RONIT- yojna,par kis liye????mera matlab hai ki andar humara saamna kis chiz se hone waala hai,iska humme se kissi ko bhi koi andaza nahi hai...

aur bina ye jaane ki hum kin kin cheezon ka saamna karne waale hain,hum yojna banaye toh banaye kaise????

MOKALSAR-tum sahi ho RONIT...kintu fir bhi satarkta ki drishtikon se humme andar jaane se pehle hi kuch na kuch taiyari kar leni chahiye..

mere kehne ka arth ye hai ki ho sakta hai ki jo dwaar hamare saamne dikh raha hai,wahan par pahunchte hi hum sab par aakraman ho jaaye aur waisi sthithi ke liye hume pehle se taiyar rehna chahiye....

AKSHAANT-MOKALSAR thik keh raha hai..yaad karo ki jaise hi hum yahan MIRRORS WORLD ke andar pahunche the,toh DHANUR dwara jin teeron se hum par aakraman hua tha,usse toh hum dekh bhi nahi paaye the...

agar VIKRAM humare saath nahi hota toh humme se koi ab tak jeevit bhi nahi bachta...

par ab jab VIKRAM humare saath nahi hai toh hume har pag ke saath chowkanna rehna hoga....

yudh ki yojna toh hum sab apni chunoutiyon ko dekhne ke baad hi tay kar sakte hain kintu kisi bhi aprayakshit ya aakasmik humle ke liye toh hume abhi se taiyar hona hoga naa....

DHANUR- kya aap sab sach me us talaab ke dwar ke andar jaane ka khatra mol lena chahte hain???

DHANUR jo ab tak mere doston ki baatein sun rahe the,AKSHAANT ki baat khatm hote hi unhone apna sawal sabke saamne rakha.....

RONIT- aapke man me is sawal ke uthne ka kaaran mai samajh raha hun...kuch der pehle aapke kiye gaye prahar ko humme se koi dekh tak nahi paaya tha,isiliye aapko hum sab ke kaushal par sandeh ho raha hoga...

mai maanta hun ki atti nishchintata bhi sahi nahi aur issi laparwahi ki wajah se hum aapke waar ko rok nahi paaye par ye bhi ek sach hai ki jab VIKRAM saath ho toh kisi bhi khatre se bachne ke liye sajag rehne ki zaroorat hi nahi hai...

naahi aisa koi shashta bana hai aur naahi koi astra jo VIKRAM ke rehte uske doston ka baal bhi baanka kar de...aur isiliye hi hum sab nishchint the....

aur jahan tak sawal is talab ke dwaar ke andar jaane ka hai,toh hum sabko ye toh gyaat nahi hai ki humara saamna kin chunoutiyon se hone waala hai,par itna maalum hai wo chunoutiyan kahin se bhi asaan nahi hone waali...

hume ye toh nahi maalum ki hume kitni taklifon kaa saamna karna padega,par ye zaroor maalum hai ki wo taklifen hamare housle se badhkar nahi ho sakti....

hume ye bhi maalum hai ki agar hum asafal rahe toh jo taakat,jo shaktiyan humare paas hai wo bhi humse chhin jaayengi,

par saath saath hume ye bhi maalum hai ki un shaktiyon ke bina jo is taalab ki chunoutiyon ko paar kar hume milni waali hain,in shaktiyon ka jo humare andar hai,koi mol nahi.....

isiliye hum is dwar ke andar bhi jaayenge,aur baahar bhi aayenge aur wo bhi sahi salamt shaktiyon ke bhandar par sawar hokar..

jahan RONIT ki baat sunkar DHANUR usse kaafi impress ho gaye wahin AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA ko aaj RONIT me meri jhalak dikh rahi thi....

SHAILA-tum toh bilkul VIKRAM ki tarah baat kar rahe ho....

RONIT- V.J ki tarah taakat toh nahi par uska ATTITUDE toh udhar le hi sakta hun naa..

yahi V.J ka sabse bada hathiyar hai aur agar hum sabko is MIRROR WORLD me mil rahi chunoutiyon ko paar karna hai,toh hume bhi is ATTITUDE naam ke hathiyar ko saath lekar chalna hoga....

DHANUR-mujhe tumhara housla bohot acha laga..tumhari baaton se tumhari satyata aur nekdili bhi jhalakti hai..

mujhe pura yakin hai ki jis taakat ko paane ke liye tum sab yahan aaye ho,uska tum sab sadupiyog hi karoge...

isiliye is chonutiyon ke safar me mai bhi tum sab ke saath hun...

DHANUR ki baat sunkar mere saare friends khush ho gaye....

AKSHAANT- aap jaise anubhavi maargdarshak ka saath humare liye kisi vardaan se kam nahi...

DHANUR- ab aur vilamb karna uchit nahi..chalo,aage badho.....

DHANUR ki baat sun mere saare friends ne unke ADVENTURE ke safar ka SHRI GANESH karte hue apne kadam aage badhaye....

taalab ka paani ab puri tarah se jam chuka tha....wo dwar jisse hokar mere friends ko taalab ke andar jaana tha,wo beech me tha..

mere saare friends aur unke saath DHANUR ek saath chalte hue aage badhe aur darwaaze ke saamne pahunch kar rook gaye...

AKSHAANT- ek kadam aur fir hum is darwaaze ke andar honge...sab sajag raho....andar pair rakhte hi kuch bhi ho sakta hai...

SHAILA- fir bhi khatra bohot hai kyunki darwaze ke dusri taraf toh ghana andhera hai..andar kya hai,kuch dikh hi nahi raha....

MOKALSAR- par andar jaana toh padega hi naa....!!!!!!

RONIT jo abhi andar ki taraf hi dekh raha tha,usne MOKALSAR ki baat khatm hote hi.....

SHASHTRAM PKARATAM.....

WEAPON AAPEAR.......

SAAYEN........SAAYEN..........SAAYEN........

RONIT ke mooh se SPELL uccharit hote hi is awaaz ke saath uske haath se bohot saare krupal,teer,aur bhaale nikle jo darwaze ke andar chale gaye....

RONIT ko laga ki agar darwaze ke andar koi ghaat laga chup kar humla karne ke liye baitha hoga toh uske chhode gaye shashtron se maara jaayega par aisa kuch nahi hua...

saare shashtra andar toh gaye par uske baad naa toh koi awaaz hui aur naahi aur koi pratikriya.....

ab un sab ke paas risk lekar andar jaane ke alawa aur koi chaara nahi tha......

aur isiliye ek lambi saans chhodte hue RONIT ne aage badhte hue apna right pair darwaze ke andar daala...

aur tabhi..................

PLACE-MAGIC WALL

arre talwar toh saamne us diwal par tangi hui hai....par hum toh ek talwar lene aaye the,par wahan diwal par toh do talware tangi hain...par dono ek dum ek jaisi lag rahi hai...

kya asli talwar ko pehchanana hi wo chunouti hai jisse tumhe paar karna hai....

mai aur AVANTIKA gayab hokar us mayavi diwal ke saamne pahunche jisse BEELZEBUB ne banaya tha aur us diwal par asli talwar aur ussi ki ek hubahu nakal banakar tanga diya tha....

MAI- haan....yahi wo chunouti hai jo BEELZEBUB ne yahan aane waale ke liye rakhi hai....

AVANTIKA- par BEELZEBUB ke kisi bhi maaya ko todna toh tumhare liye aasan kaam haina!!!!!!

MAI- tumne meri baat dhyan se suni nahi....maine kaha ki saamne dikh rahi maaya BEELZEBUB ne rakhi hai...

par is maaya ko BEELZEBUB ke dimag me ASMODEUS ne daala hai....iska matlab hai ki is maaya ka nirmata ASMODEUS hai....

AVANTIKA- phir toh ye maaya bohot khatarnaak hogi aur isse paar karna bohot mushkil....

MAI- asaan kaam me maza bhi nahi aata madam....aur waise bhi ASMODEUS ka toh kaam hi hai mujhse sawaal karna aur mera kaam hai uske sawaalon ka jawab dena....

saamne dikh rahi maaya ke roop me usne apna is baar ka sawaal puch liya hai ab meri baari hai usse jawab dene ki....

AVANTIKA- tum aur tumhari baatein....par ye toh batao ki shuruat kahan se karni hai....

MAI- aage badho.....

meri baat sunkar ek baar AVANTIKA ne meri taraf dekha.maine usse aankhon se hi aage badhne ka ishara kiya...

mere ishare par jaise hi AVANTIKA ne apna right pair aage badhaya......

TAKK.........

AVANTIKA ka pair ek adrishya chiz se takraya jisse ye awaaz ubhri.....ek invisible chiz ke takrane se AVANTIKA shocked ho gayi aur us invisible barrier ke baare me mujhse puchne ke liye wo piche mudne hi waali thi ki....

AVANTIKA- arre ye toh darwaza jaisa lag raha hai....

MAI- darwaza nahi darwaze...apne saamne waale darwaaze ke side me dekho...

mere kehne se AVANTIKA ki nazar side ki taraf gayi toh fir chownk gayi....

uske side me bhi uske saamne jaisa hi darwaza tha....

AVANTIKA- kamal hai...ye achanak do do darwaze kahan se aa gaye aur ye dono band kyun hain....

MAI-band hone ke saath saath dono me ek common baat aur hai....

AVANTIKA-kaun si baat???

MAI-dono darwaze dono talwaron ke theek sidh me bane hain....

meri baat sun jab AVANTIKA ne meri kahi baat par gour kiya toh.....

AVANTIKA- arre haan,ye toh maine dhyan hi nahi diya tha...par in sab ka matlab kya hai???

MAI- simple hai..dono darwaazon me se ek ko hume chunana hai..sahi darwaza hume asli talwar ke paas pahuncha degi aur nakli darwaza hume us chakravyuh me le jaayegi jisse bhed kar hi hum is maaya jaal ko tod paayenge.....

AVANTIKA- wow....toh fir hume kaun sa darwaza chunana chahiye....

MAI- usse kuch fark nahi padta..koi sa bhi chun lo...

AVANTIKA-matlab!!!!koi sa bhi kaise????agar aise hi chun liya toh hum kahin ASMODEUS ke chakravyuh me fas naa jaayen???

MAI- ye maaya jaal ASMODEUS ka buna hua hai...ek tarah se kaha jaa sakta hai ki ye ek khel hai jisse usne banaya hai....

jab tak hum is khel ko khelne ke liye taiyar nahi honge,tab tak naa toh hum is maaya jaal ko samajh paayenge aur naahi isse tod paayenge....

AVANTIKA- mujhe tumhari koi bhi baat samajh me nahi aayi...

AVANTIKA ki baat sun mai muskura diya...

MAI- thoda time do..sab samajh me aa jaayega..filhal bina soche samjhe jis darwaze ke saamne khadi ho,usse dhakka do....

meri baat sun AVANTIKA ne haan me apna sir hilaya aur wapas saamne mood gayi..

man hi man ISHWAR ka naam lete hue AVANTIKA ne apne saamne waale darwaze par apne dono hatheli rakhe aur push kiya....

AVANTIKA ke push karte hi darwaza bina awaaz kiye khulta chala gaya

aur tabhi....................

BACK TO FRIENDS:-

ARRE YE JAGAH TOH BILKUL HAMARE TRAINING KI JAGAH MAGICAL DIMENSION JAISI DIKH RAHI HAI.....

HAAN HUBAHU WAISI HI HAI......

RONIT ki baat ka SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT ne samarthan kiya....

toh hua yun ki jaise hi RONIT ne apna right pair darwaaze ke andar rakha,darwaaze ke andar ka andhera tez roshni me badal gaya jisme se kuch rays nikalkar mere sabhi doston aur DHANUR ke upar pade aur wo sabhi us rays ke maadhyam se us darwaze ke andar ki duniya me kheenchte chale gaye....

darwaze ke andar kheenchane ke baad bhi tez roshni ki wajah se kisi ko kuch dikh nahi raha tha par kuch der baad roshni apne aap kam hone lagi aur kuch hi der me ek normal light ke beech sabhi ne khudko ek bade se anthin jagah par khada paaya...

ye jagah thik us MAGICAL DIMENSION ki tarah dikh rahi jisme RONIT aur ANJALI aur dusri taraf SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT mujhse yudh prasihikshan liya karte the....

jahan sabhi is jagah ke unke practice ki jagah se resemblence ke baare me baat kar rahe the wahin DHANUR un sab ki baatein sun raha tha aur jaise hi sabhi ne RONIT ki baat ka samarthan kiya.......

DHANUR- kya tum sab JAADUYI AAYAM ke baare me baat kar rahe ho???

SHAILA- ji.....VIKRAM hume thik aisi hi ek jaaduyi aayam me lejakar yudh prashikshan dete the.....

DHANUR-hmm..kintu is JAAUDUYI AAYAM aur us JAADUYI AAYAM jahan tum sab prashikshan lete the,usme antar hai.....

us AAYAM me agar tum kisi yudh kala ko sikhte waqt ya fir kisi astra ko prayog me laate waqt asafal hote the toh tumhe aur aneko mouke milte the apni galti ko sudharne ke liye....

kintu yahan tumhe koi dusra mouka nahi milega....ek chuk aur sab khatm...

RONIT-ye baat hum jaante hain...ye koi prashikshan me milne waali chunouti nahi hai balki asli chunouti hai jisme ya toh is paar yaa fir us paar......

DHANUR- mere man me ek aur baat aa rahi hai...aur wo ye ki tumhare pair rakhte hi hume us darwaze ne is jagah par pahunchaya hai..

wo jagah jisse tum sab pehle se parichit ho...iska arth ye hai ki ye jagah tumhare sparsh se tumhare baare me sab kuch jaan chuki hai aur isiliye usne tumhare saamne pehli chunouti ke liye is jagah ko chuna hai....

MOKALSAR- par abhi tak kuch hua kaise nahi!!!mera matlab hai ki hum yahan kitni der se khade hain,fir bhi abhi tak hum par kisi tarah ka na toh aakraman hua hai aur naahi kisi tarah ki chunouti mili hai....

SHAILA- wo saamne dekho....wahan safed churna se chaar gole bane hue hain....

SHAILA ki baat sunkar sabhi ki nazar unse kuch aage floor ki taraf gayi jahan 4 circles bane hue the......

AKSHAANT- arre haan,us jagah par toh mera dhyan hi nahi gaya....kintu in golon ka kya matlab ho sakta hai...????

MOKALSAR- shayad wo gole hum chaaron ke liye banaye gaye ho...aur humare un golon ke andar khade hone ke baad yahan ki chunoutiyan saamne aayen!!!!

SHAILA- kintu hum toh paanch hain naa..fir chaar golon ka kya abhipraaya ho sakta hai...

DHANUR-MOKALSAR sahi hai...maine kaha tha ki hamare sparsh se is jagah ne humare baare me sab kuch jaan liya hai..

ye humare saare bhaavnaon ko parichit hai...is jagah ko ye maalum hai ki mai yahan bas tum sabka saath dene aaya hun,mujhe khud yahan se kuch bhi nahi chahiye isiliye mere liye koi gola nahi bana.....

RONIT- DHANUR sahin hain..aur ab hume baaton me waqt nahi barbaad karna chahiye aur aage badh un golon me khade ho jaana chahiye...

RONIT ki baat par sabhi haan me apna sir hilate hue aage badhne lage...

wahin DHANUR apni jagah par hi khade rahe...........

mere dost satarkta se har taraf dekhte hue aage badhe aur un chaar circles ke saamne pahunch gaye...

par circle ke saamne pahunchte hi chaaron ko ek jhatka laga....

aur wo isiliye kyunki un golon ke andar un sab ka naam likha hua tha...

wo sab ek dusre ki taraf dekhne lage...ab ye baat clear ho gayi ki unki aage ki journey is gole ke andar se hi shuru hogi.....

ek dusre ko aakhon hi aakhon me dekhne ke baad sabhi ne ek lambi saans chhodi aur us circle ke ghere ke andar chale gaye.....

aur tabhi............

ek saath do cheezen hui.....

pehli.....har gola jiske andar mere chaaron dost the,wo tezi se bada hone laga jiski wajah se har circle ek dusre se door hone lage....

dekhte hi dekhte har circle bada hokar khudme hi ek MAGICAL DIMENSION ban gaya..

toh ab kul chaar MAGICAL DIMENSIONS the..aur mera har dost apne khudke ek MAGICAL DIMENSION ne akela khada tha....

dusra.....har circle ke khudko ek ek MAGICAL DIMENSION me badalne ki wajah se mere dost ek dusre ko nahi dekh paa rahe the par DHANUR ek saath sabhi ko dekh sakte the...

aur wo aise ki jaise hi CIRCLES expand hue toh jis MAGICAL DIMENSION me DHANUR khade hue the,wo ek bade se room me convert ho gaya..

room me convert hone ke baad DHANUR ke saamne hawa me chaar bade bade parde ban gaye jinme mere chaaron dost dikh rahe the..

kaha jaa sakta hai ki DHANUR abhi ek darshak ki tarah mere doston ki action movie ko un pardon se dekhne waale the...

wahin mere chaaron dost unke aas paas ho rahe parivartan ko dekhkar bohot zyada chakit the aur wo shock aur badh gaya jab kuch pal baad un sab ne khud ko akela ek DIMENSION me khada paaya...

kuch seconds lage un sab ko sambhalne me aur jaise hi apne vichar se baahar aakar sab ki nazar saamne gayi toh chaaron ek baar firse chownk gaye.....

REASON.....

ab wo MAGICAL DIMENSION me akele nahi the..is waqt un sab ke saamne koi na koi khada tha jisse dekh kar sabhi ke mooh se ek saath nikla.....

CLONE COMBAT.......(update 73)

ji haan doston,is waqt mere chaaron doston ke aage unke CLONES khade the jinhe dekhkar unhe andaza ho gaya tha ki jaise prashikshan ke samay jis tarah CLONE COMBAT fighting ke waqt unke saamne waale CLONES ke andar un jasi hi pratibha hoti thi thik ussi tarah se unke saamne jo is waqt unke CLONES khade the,unme bhi un sab ke hi jitni taakat aur khubiyan moujud hongi..

par prashikshan waale CLONES aur inme ek antar tha aur wo ye ki training waale CLONES ke chehron par koi bhaav nahi hote the par is waqt jo CLONES mere doston ke saamne khade the,unke chehre par krodh aur darindagi ke bhaav the...

wo sabhi apne asli swaroop yaani ki mere doston ko khaa jaane waali nazaron se dekh rahe the.....

wahin DHANUR bhi badi dilschaspi lekar unke saamne hawa me jhul rahe pardon ko dekh rahe the....

CLONES- tum sab ne yahan aakar bohot badi galti kar di hai....jis taakat ko tum sab paane ki laalsa liye yahan aaye ho,wo toh tumhe milne se rahi,ulta tumhari ab tak ki mehnat se kamayi gayi taakat bhi hum tumse chhin lenge....

ye baat sabhi CLONES ne apne swaroop ke asli maalik se ki thi....

RONIT-dekh bhai,mera roop lenene se tu mai nahi ban jaata....aur apne ye sadhe dialouges apne paas rakh..jis kaam se aaya hai wo kar..

tujhe harane ke liye mujhe khudko harana hoga aur jis shakti ki chahat liye mai yahan aaya hun,uske liye mai khudko hara kar hi rahunga....

aisi hi kuch baatein mere baaki ke doston ne bhi ki....

mere doston ki baatein sun unke CLONES ke chehre ka ghussa aur zyada dikhne laga....

aur agle hi pal.........

RAMOSTAMANE

RELEASE POWER

ye SPELL chaaron CLONES ne ek saath bola tha jiske uccharit hote hi unke sharir se bohot zyada maatra me hawa ke roop me unki power baahar aayi aur har taraf se failte hue mere doston ke taraf badh gayi....

ye waar bohot ghaatak tha kyunki isse bachne ke liye mere friends kahin jaa bhi nahi sakte the kyunki wo hawa roopi power force pure MAGICAL DIMENSION ki choudayi ko ghere hue unki taraf aa rahi thi....

par jo training mere dwara un sab ko di gayi thi,usse kathin se kathin paristithi me bhi khudko sayammit rakhne ka hunar unme tha...

wo jaante the ki ek sayyamit dimag hi har problem ka hal dhund sakta hai aur is waqt bhi itne ghatak aakraman ke hone ke baawjud wo sab shaant hi the.....

ab tak wo hawa roopi power force mere friends ke bohot paas aa chuki thi....mere friends ne apne man ko ekdum shaant rakha hua tha par unke dimag bohot tezi se chal rahe the...

wo sab is aakraman se khudko bachane ki yukti soch rahe the aur tabhi mere friends ke dimag ki batti jali.....

WAMOSTAMANE

OBSERVE POWER.......

CLONES ki hi tarah mere chaaron friends ne bhi ye SPELL ek saath bola tha...

mere friends ka is SPELL ko uccharit karne ka sabse bada kaaran ye tha ki jis SPELL ko mere friends ke CLONES ne kaha tha,usse jo power baahar aayi thi,wo kahin naa kahin mere friends ki hi thi....

kyunki jo power mere friends ke andar thi,wahi power unke CLONES ke bhi andar thi..

aur issi soch ke dimag ke ubharte hi un sab ne OBSERVE POWER ka SPELL bola..

SPELL ke uccharit hote hi jo AIR FORCE badi tezi se mere friends ke taraf aa raha tha,naa sirf uski SPEED kam ho gayi par dekhte hi dekhte uska daayra bhi kam hone laga aur mere doston ke paas pahunchte pahunchte wo hawa ek air ray me badal gayi jisse mere doston ke sharir ne observe kar liya....

power ko observe kar mere doston ne jab saamne dekha toh unke CLONES ko khudko ghurte paaya....

SHAILA-ab ghurti hi rahegi ya aage ka daaw bhi khelegi.......

naahi SHAILA ke CLONE ne usse koi jawab diya aur naahi mere baaki ke doston ke kiye gaye sawaal par unke CLONES ne kuch kaha...

saare CLONES ye soch rahe the ki unhe jo mantra pata hai,wo unke saamne khade unke roop dhaaran kiye gaye sharir ke asli maalik ko bhi pata hai aur saath hi us mantra ka kaat bhi aur isiliye mantro ke yudh me unhe harana asambhav hoga aur isiliye.......

agle hi pal mere doston ke CLONES ke haathon me ek ek talwar chamak uthi.....

CLONES ke haathon me talwar dekh mere dost bhi samajh gaye ki ab ye astra shastra ki ladhayi karenge....

wahin talwar ke haathon me aane ke agle hi pal saare CLONES ke sharir teer ki tarah hawa me aage badhe aur agle hi pal....

TANNN,TANNN,TANNN,TANNN..............

issi awaaz ek saath charon CL0NES ke talwar mere doston ke talwar se takraaye...

CLONES ke hawa me uthte hi mere doston ne bhi ek ek talwar ka awahan kar liye tha aur CLONES ke unke paas aate hi unhone apni apni talwar aage kar di thi......

talwaron ke takraate hi mere friends ne talwar ko ek jhatka diya jiski wajah se CLONES hawa me kalabazi khaate hue kuch piche jaakar khade ho gaye....

ek pal ke intazar ke baad CLONES tezi se aage badhe aur.....

second ke dusve hisse se bhi kam samay me saare CLONES ke talwar lagatar chalne lage...

mere dost bhi har tarah se chownkanne the..unhone CLONES ke har waar ko block karna shuru kar diya...

kuch 15 minute tak CLONES lagatar mere friends par apni talwar se alag alag angles se waar karte hi jaa rahe the jisse mere friends bakhubi block kar rahe the....

lagatar waar karne ke baad bhi jab CLONES mere doston ko koi nuksaan nahi pahuncha paaye toh sabhi wapas kalabaazi khaate hue piche jaakar khade ho gaye...

par ye halt bas 5 second ka hi hoga...kyunki piche haththe hi ek baar firse sabhi CLONES ne mere doston ke upar jump laga diya par is baar do changes the..

pehla.....is baar CLONES ke ek nahi balki dono haathon me talware thi...

dusra.....CLONES ka ye humla do tarfa tha...saamne ki taraf se wo khud mere doston ki taraf badh rahe the wahin baaki ke teeno taraf se ek saath kai saare astra mere doston ki taraf lapke...

is do tarfa humle ka ehsaas hote hi ek pal ke liye mere dost bhi shocked ho gaye par jaldi se khudko wapas sambhalte hue sabhi ne apne bachav ka raasta khoj liya...

jahan ek taraf RONIT aur AKSHAANT ne bhi khudko hawa me uchalte hue apne CLONES ke upar se nikal gaye wahin SHAILA aur AKSHAANT neeche zamin me letkar fislate hue aage ki taraf badh gaye....

CLONES ne jo mayavi astra mere doston ke upar chhode the,wo saare astra mere doston ke kad ke hisab se hi unki taraf badhe the...

isiliye RONIT aur MOKALSAR ke CLONES ke kaafi upar se nikalne ki wajah se wo astra khaali chale gaye wahin AKSHAANT aur SHAAILA ke neeche zamin par fisalte hue jaane ki wajah se naa hi unke CLONE unhe chu paaye aur naahi unke chhode gaye astra...

ek hi waqt par mere dost aur unke CLONES ke pair zamin par fir tike par jahan pehle mere dost khade the,ab wahan unke CLONES the aur wahin CLONES ki jagah par mere dost khade the...

ab tak mere dost sirf defensive mode par the aur CLONES attack mode par..

par zamin par pair tikte hi mere dost tezi se ghume aur bijli ki raftar se unke CLONES ke paas pahunch gaye aur agle hi pal....

TANNN TANNN ki awaaz ek baar firse charon MAGICAL DIMENSION me gunj gayi....

mere dost lagatar bohot tezi se unke CLONES ke upar humla karne lage par CLONES bhi bakhubi unke waaro ko rok rahe the....

lagatar bohot der tak aakraman karne ki wajah se mere dost thakne lage wahin maayavi jeev hone ki wajah se CLONES abhi bhi fresh the.....

thakan ki wajah se jaise hi mere doston ki talwar chalane ki speed kam hui....

THAAP,DHAAK,THAAP,DHAAK......

ye do awaazen firse charon DIEMNSIONS me gunj uthi...

reason....mere doston ki speed kam hote hi unke CLONES turant defensive se attacking mode par aa gaye aur mouka dekhte hi MOKALSAR aur RONIT ke CLONES ne dono ke chaati par apni apni laath maar di jiski wajah se DHAAK ki awaaz ke saath dono udte hue door jaakar gire.

wahin SHAILA aur AKSHAANT ke dheere hote hi unke CLONES turant gol ghumte hue unke piche pahunche aur unki peeth par apne talwaar ki mooth se prahar kiya jiski wajah se THAAP ki awaaz ke saath wo dono aage ki taraf udte hue gire.....

par girte ke saath hi mere dost turant khade ho gaye..is waqt chaaron CLONES ke chehre par ek khilli udane waali hasi thi par mere doston ko isse koi fark nahi pada....

mere saare dost is waqt ek dusre ko dekh nahi sakte the par apni shakti se ek dusre ko mehsoos toh kar hi sakte the isiliye....

khade hote hi sabhi ke aankh band hote chale gaye...aur jaise hi unki aankhen band huin,ek saath sabhi ke dil me ek awaaz gunji....

REFLEX.......APRAYAKSHIT.........

ye awaaz meri thi jisse sunte hi unke dimag ki batti jali aur chaaron ne ek dusre ke dil se khudko jod diya aur aisa hote hi sabhi ke fighting techniques ek dusre se badal gaye....

AKSHAANT ki technique SHAILA me transfer ho gayi wahin SHAILA ki AKSHAANT me..

RONIT ki MOKALSAR me aur MOKALSAR ki RONIT me....

wahin mere doston ke CLONES ne jab dekha ki unke pratidwandiyon ki aakhen band hain toh unhe ussi awastha me khatm karne ki liye wo aage badhe aur jaise hi un sab ne apni talwar ghumayi....

tadak,tadak,tadak,tadak..........

in chaar awaazon ke saath chaaron CLONES ke gardan ki haddi toot gayi aur wo niche ludakte chale gaye....

toh hua ye ki jaise hi charon CLONES mere doston ke paas pahunche,mere doston ko naa sirf is baat ka ehsaas ho gaya balki wo taiyar bhi ho gaye par apne apne tariko se nahi balki uske tarike se jiski figting technique ab unki thi....

jahan RONIT aur AKSHAANT unke CLONES ke paas pahunchte hi unki right aur left ki taraf aa gaye wahin SHAILA jump karte hue uske CLONE ke sir ke upar pahunch gayi aur MOKALSAR neeche se hote hue apne CLONE ke piche pahunch gaye...

apni apni jagah pahunchkar sabhi ne apne apne CLONES ke sir ko pakda aur dusri taraf ghumate chale gaye jisse unke CLONES ki gardan ki haddi toot gayi aur wo neeche girte chale gaye..

par tabhi do cheezen hui...

pehli....CLONES ke zamin par girne se pehle hi wo dhuan bankar gaayab ho gaye...

dusri.....CLONES ke gaayab hote hi dobara MAGICAL DIMENSIONS ka aakar badalne laga aur dekhte hi dekhte chaaron MAGICAL DIMENSIONS wapas chote hote chale gaye aur finally mere dost ussi MAGICAL DIMENSION ke circle me ek dusre ke baaju me khade the jahan se unki shuruat hui thi...

DHANUR ke saamne ki maaya bhi khatm ho chuki thi aur wo bhi ussi MAGICAL DIMENSION me khade the...

jaise hi sabki nazar ek dusre par padi,sabhi samajh gaye ki baaki ke 3 bhi apne pehli chunouti ko paar karne me kaamiyab ho gaye hain...sabhi ki khushi ka thikana nahi raha..

charon ne ek dusre ke gale lagake apni khushi zaahir ki...DHANUR jo ki unke piche hi khade the,wo bhi unke paas aa gaye...

DHANUR-appratim...tum sab naahi sirf ek bohot ache yoddha ho balki jis shakti ki talash me tum sab yahan aaye ho,uske laayak bhi ho...

DHANUR ki baat sunkar sabhi muskura diye...

AKSHAANT-waise humare yahan se jaane ke baad apke sath kya hua???

AKSHAANT ke sawal par DHANUR sabhi ko batane lage ki unke jaane ke baad unke saath kya hua...

jahan sabhi DHANUR ki baat sun rahe the wahin RONIT apne hi kisi khayal me khoya hua muskura raha tha jisse SHAILA ne dekh liye....

SHAILA-tujhe kya hua??muskura kyun raha hai???

SHAILA ki baat sun sabhi ka dhyan RONIT par gaya toh sabhi ne usse muskurata hua paaya....wo bhi uski muskaan ke piche ke raaz ko janane ke liye uski taraf dekhne lage...

RONIT- mai soch raha tha ki V.J ne hum sabko training di jisse hum sabki yudh kala kitni zyada nikhar gayi par jab hum sabka saamna BEELZEBUB aur BHUVIKA se hua toh hume hamari training bekar lagne lagi..

hume laga ki jo training hume V.J ne di hai,uska koi mol nahi par dekho...aaj jis shakti ki talash me hum yahan aaye hain,us shakti tak hum kabhi bhi nahi pahunch paate agar V.J ne hume wo training nahi di hoti...

RONIT ki baat par sabhi ke sir jhuk gaye kyunki mere TRAINING ke liye negetive vichar sabhi ke man me aaya tha par aaj ussi training ne unhe kaamiyab banaya tha....

DHANUR-shuruat 1 se hi hoti hai par kabhi kabhi unche paydan par pahunchne ke chakkar me hum us pehli siddi ko bhul jaate hain...

kintu tum sab ko is baat ka ehsaas hai yahi bohot badi baat hai...khud ko nirash mat hone do kyunki aisa hone par tum sab ka aatmvishwas dolne lagega jo tumhari aane waali chunouti ke liye acha nahi hoga..

RONIT- aisa kabhi nahi hoga....jaante hain kyun,kyunki hum bhale hi V.J par bharosa naa rakh paayen hon par usne humpar bharosa kiya hai.

aisa bharosa jo agar koi chahe bhi toh tod nahi paayega..

V.J hume yahan laata hi nahi agar hum yahan aane ke kaabil nahi hote..aur ab jab hum yahan aayen hai toh jeet kar hi jaayenge.....

SABHI- bilkul.....

SHAILA- par ab kya......???agli chunouti ke liye hume kahan jaana hoga....

DHANUR- wahan..saamne dekho...

DHANUR ne saamne point karte hue apni baat kahi..DHANUR ke point ki hui jagah par jaise hi sabki nazar gayi,sabhi firse shocked ho gaye...

kyunki unse kuch hi door saamne chaar roshniyan khadi thi..khadi isiliye kyunki wo chaar roshniyan asal me aakrutiyan thi jinpar mere chaaron doston ke naam likhe hue the...

ek dusre ki taraf ek baar dekh mere chaaron dost us roshni ki aakruti ki taraf chal diye..

aakruti ke paas pahunch kar sabne apna haath us roshni ke aage kar diya.

aur tabhi...........

BACK TO HERO:-

YE MAI KAHAN AA GAYI????AUR V.J ABHI TAK KAISE NAHI PAHUNCHA???

ARRE YE KYA HO HO RAHA HAI??YE JAGAH HIL KYUN RAHI HAI???V.JJJ.....V...JJJJJ...........

AVANTIKA zor zor se mera naam pukarne lagi.....

toh hua ye ki AVANTIKA ke darwaze ko push karte hi wo khulta chala gaya..

par jaise hi darwaza pura khula,us darwaze ke andar tez roshni hui jisse tez kirane baahar nikalte hue AVANTIKA par padi...

aur aisa hote hi AVANTIKA un kirano ke saath darwaze ke andar kheenchati hui chali gayi....

roshni ke samandar se hote hue AVANTIKA ka sharir hawa me tairta hua aage badhne laga aur kuch hi der baad AVANTIKA ke pair kisi jagah par aakar tik gaye..

kyunki roshni ab bhi kaaym thi isiliye AVANTIKA ko andaza nahi tha ki wo kahan par hai aur naahi usse mere koi andaza tha...

par uski uljhane kuch hi der ki thi..kuch der ke baad roshni dheere dheere kam hone lagi aur jaise hi saamne ka nazara saaf hua toh AVANTIKA chownk gayi.....

reason...is waqt AVANTIKA ek pathrili jagah par khadi thi jahan door door tak patharon ke alawa aur kuch nahi tha....

wo us jagah ko samjh uske baare me keh hi rahi thi ki achanak wo saari jagah kaampne lagi maano wahan bhukamp aa gaya ho....

is bhukamp ki wajah se AVANTIKA bhi khade khade ladkhadane lagi aur ye sab hota dekh mera naam lekar chilaane lagi.....

V.JJJ..........................

YAHIN HUN AV.....RELAX......

awaaz sun jaise hi AVANTIKA ne piche ki taraf dekha toh mujhe khada paaya...mujhe dekhte hi uski tention khatm ho gayi par bhukamp ki wajah se uska sharir abhi bhi ladkhada raha tha isiliye maine usse uske kandho se pakad liya jisse uska hilna dulna band ho gaya...

darasal AVANTIKA ke us darwaze ke andar se aa rahe roshni ke dwara kheenche jaane ke kuch pal baad mai us us roshni se hota hua yahan aaya...

reason...mai jaanta tha ki pehli chunouti ke roop me koi maaya hume nuksaan pahunchane ki koshish karegi.....

par AVANTIKA ke surakhsa kawach ki wajah se us maaya ka asar khatm ho jaayega aure waisa hi hua...kaise,aayi khud jaan lijiye...

AVANTIKA- ye sab kya ho raha hai???ye jagh hil kyun rahi hai???

MAI-pehle iska hilna band ho jaane do,fir batata hun.....

AVANTIKA kuch kehne hi waali thi par tabhi usne mehsoos kiya ki is jagah ka hilna dheere dheere kam hone laga hai....

aur kuch hi seconds me wo bhukamp puri tatrah khatm ho gaya jisse AVANTIKA ne raahat ki saasns li......

AVANTIKA- ab toh batao ki ye sab kya chakkar hai...

maine kuch kaha nahi bas apna haath AVANTIKA ki taraf kar diya..

mere haath se ek invisible ray nikli aur AVANTIKA ki body se hote huie har taraf failne lagi....

AVANTIKA aankhon me sawal liye mujhe dekh rahi thi...

maine usse ishare se har taraf nazar ghumane ko kaha aur jaise hi AVANTIKA ki nazar sab taraf ghumi,wo shocked reh gayi....

REASON......jis pathrili duniya ke beech me hum khade the,wahan door door se bohot si invisible tarange vibrate karte hui aakar AVANTIKA ke sharir me sama rahi thi...

kyunki pehle wo tarange invisible thi isiliye AVANTIKA ko wo dikh nahi rahi thi par mere haathon ke dwara chhode gaye rays ki wajah se ab wo visible ho gayi thi.....

AVANTIKA hairan pareshan si kabhi un tarango ko dekhti toh kabhi apne sharir ko chhukar...

usse samajh nahi aa raha tha ki ye tarange aakhir hain kya aur uske apne sharir me samane ke baawjud usse kuch mehsoos kyun nahi ho raha hai....

aur jab usse kuch samajh me nahi aaya toh wo meri taraf ek baar firse sawal bhari nazaron se dekhne lagi...

MAI- jo tarange tumhari body me sama rahi hai wo aur kuch nahi balki tumhari hi SHIELD hai jo yahan aate hi khatre ko bhaampte hue active ho gayi hain..

jo bhukamp abhi yahan aa raha tha wo bhi yahan ka ek maaya jaal tha...

aur ye isiliye aaya tha kyunki tumne bina kisi mehnat ke yahan ke pehle chunouti ko aasani se paar kar liya tha...

AVANTIKA- pehli chunouti.....wo kya thi???

maine kuch kaha nahi bas apni ek ungli ko neeche patthar ki taraf point kiya....

mere aisa karte hi mere ungli se ek bund paani nikli aur neeche patthar ki taraf badh gayi..

aur jaise hi us paani ke boond ne patthar ko chua,AVANTIKA ki aakhen hairat se faile gayi..

reason....jahan wo paani ka boond gira tha,wahan se bhaap nikalne lagi thi jiska matlab tha ki wo patthar aag ki tarah garam tha....

MAI-ye chunouti....tumhare is patthar par kadam rakhne ke kuch hi palon baad ye pathar garam hona shuru ho gaye the par aisa hote hi tumhari shield ne tumhe cover kar liya jisse tumhare pairon ko is patthar ki garmi mehsoos hi nahi hui....

tumpar koi asar naa hota dekh is jagah ne ek dusri chaal chali aur wo thi...

AVANTIKA- bhukamp ki......

MAI- hmm..jisse tum ladkhadi hui in pattharon par gir jaati aur tumhe chot lagti...

par tumhare shield ne naa sirf tumhe sahara diya taaki tum apne aap ko is jagah par thoda bohot stable kar lo balki us shield ne tarango ka roop lete hue is puri jagah me faile gayi aur yahan ke maaya ko khatm kar diya...

AVANTIKA-ohh.toh isiliye tumne mujhe pehle bheja tha aur fir thodi der baad yahan pahunche...

MAI- haan..

AVANTIKA- par itna kuch karne ki kya zaroorat thi...tum khud bhi toh is jagah ki maay ko khatm kar sakte the...

MAI- nahi..chakravyuh ka pehla niyam hai ki hume chakravyuh ke rachaita ke hisab se khelna padta hai..

ye saara chakravyuh ASMODEUS ka hai...mai yahan khudko bachane ke liye toh MAGIC ka use kar sakta hun kintu yahan ki maaya ko todne ke liye nahi..

uske liye mujhe apna dimag lagana padega...agar mai yahan tumse pehle aa jaata toh mera SHIELD bhi tumhari tarah active ho jaata..

par jahan tumhari SHIELD ne apne aap ko bachane ke liye is jagah ke maaya ko khatm kiya wahin mera SHIELD yahan ke maaya ke jaagne se pehle hi usse khatm kar deta jisse hum kabhi bhi aage nahi badh paate....

AVANTIKA- oh......toh ab???

MAI- aage dekho.....

mere kehte hi AVANTIKA wapas palti aur aage ka scene dekh wo ek baar firse chownk gayi..

jahan kuch der pehle tak door door tak pahrili zamin thi wahin ab AVANTIKA ke theek saamne ek bohot badi khaayi thi....

AVANTIKA- arre ye kahan se aayi...???

MAI- jab tum mujhse baat kar rahi thi tabhi hamari dusri chunouti ne khud ko aakar de diya tha....

AVANTIKA- aakar!!!!kaisa aakaar???ye toh ek khayi hai....khayi me kaise chunouti???

MAI- khayi sirf ek maaya jaal hai..chunouti uske andar hai...

AVANTIKA- matlab!!!!

MAI- matlab ye....

ye bol mai tezi se aage badha aur.......

AAAAAAAAAAAAA................

AVANTIKA ki cheekh meri harkat ki wajah se nikli thi...

darasal mai AVANTIKA ki kamar ko pakadte hue aage badha aur khayi me chalang laga diya.....

AVANTIKA ne zor se mujhe pakad liya aur apni aakhen band kar lin..par kuch der ke baad jaise hi usse apne pairon ke neeche kuch mehsoos hua toh AVANTIKA jhat se mujhse alag hokar neeche dekhne lagi...

aur neeche dekh wo ek baar firse chownk gayi.......

reason....hum dono is waqt ek khuli hui jagah par khade the aur hamare pairon ke neeche choti choti ghaans thi....

MAI-kis baat ka dar tha madam aapko..mere rehte aapko kuch ho sakta hai bhala???

AVATIKA- kuch hone ki wajah se maine apni aakhen band nahi ki thi..bas mujhe uchayin se dar lagta hai.....

AVANTIKA ki baat sunkar mai has diya...

AVANTIKA- ab haste hi rahoge ki aage kya karna hai,iska pata lagaoge...???

MAI- pata lagane ki koi zaroorat nahi hai..saamne dekho...

AVANTIKA ki nazaren jo is baar bhi yahan pahunchte hi pehle niche gayi thi aur fir mujhpar,usne saamne ki taraf dekha aur hamesha ki tarah firse chownk gayi....

reason...........

hamare saamne hawa me kuch likha hua tha jisse AVANTIKA ne padhna shuru kiya....

ye doud tumhari hai,
isme tumhe akele hi
BHAAGNA HOGA.....

nayi SHAKTI ko paane
ke liye,tumhe apni SHAKTI
ko TYAAGNA HOGA.....

urja ke bahaav ko kuch der
ke liye ROK DO.......

manzil par pahunchne
tak,apni SHAKTI ko mujhe
SOUMP DO.....

AVANTIKA- iska kya matlab hai???

MAI- wahi jiska mujhe dar tha...

AVANTIKA- matlab!!!!

MAI-ye maayavi duniya samajh chuki hai ki tumhare paas ek aisa SHIELD hai jo is jagah ko naa sirf nuksaan pahuncha sakta hai balki bina kisi mehnat ke hara bhi sakta hai..

hum yahan SWORD ke liye aaye hain jo meri SHAKTI hai...par meri asli SHAKTI tum ho...is paheli ka matlab hai ki agar mai aage badhna chahta hun toh tumhe mujhse alag hona padega....

itna hi nahi aage badhne ke liye mujhe tumhari urja ko tumse alag karna padega aur is chakravyuh ko todne tak tumhe is jagah ke hawale karna padega...

meri baat sun AVANTIKA kuch der tak mujhe dekhti rahi fir.......

AVANTIKA- theek hai.....jaisa tum chaho...

MAI- tumhe dar nahi lag raha hai ye sochkar ki bina tumhare shield ke tumpar humla bhi ho sakta hai...

meri baat sunkar AVANTIKA muskura di....

AVANTIKA- mera shield tum ho..aur jab tak tum ho,AVANTIKA ka koi kuch bigad nahi sakta...

is baar meri baari thi muskurane ke liye..

maine apna haath AVANTIKA ke sir par rakh diya aur....

KAWACHAM BAHIRBHAVA.....

SHIELD COME OUT......

mere spell bolte hi AVANTIKA ki shield energy uske sharir se baahar aakar mujhme sama gayi.....

MAI-ye SHIELD bhale hi mere paas hai,par sirf tab tak jab tak tumpar koi jaan leva aakarman nahi hota..aisa kuch hote hi ye mujhse nikalkar tumme wapas sama jaayegi..

AVANTIKA- maine kaha naa,mujhe in sab baaton ki parwah nahi...

maine aage badhkar ek baar AVANTIKA ka maatha chuma aur...

MAI- jaao,tumhari sawaari aa gayi...

meri baat sun AVANTIKA ne saamne ki taraf dekha..is waqt hamare saamne ek pinjra tha jiska darwaza khula hua tha...

ek baar mujhse gale lag AVANTIKA us pinjre me chali gayi...

jaise hi AVANTIKA pinjre ke andar gayi,pinjre ka darwaza lock ho gaya aur agle hi pal.....

pinjre me ek tez prakash hua aur wo pinjra gaayab ho gaya tha....

pinjre ke gaayab hote hi maine saamne dekha jahan hawa me kuch der pehle kuch likha hua tha..

ab wo lekhni gaayab ho chuki thi aur uski jagah us jagah par kuch naya likha hua tha jise mei padhne laga...

SHWETATA par laal rang
RACHEGA.....

aage tabhi badh paayega jab is
chunouti me zinda BACHEGA.....

Swaans ko roke tu aage BADHEGA....

apni parchayi ke dusre swaroop se
Dekhna hai tu kaise LADHEGA!!!!!?????

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V..J.....
 
AB TAK AAPNE PADHA KI EK TARAF VIKRAM,AVANTIKA AUR DUSRI TARAF RONIT & FRIENDS APNE PEHLI CHUNOTI KO PAAR KARNE ME KAAMIYAB HO JAATE HAIN
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA UPDATE-106

PART-3

PLANET-MIRRORS WORLD

ADVENTURE CONTINOUS

ABBE YE TOH WAHI MIRROR HAI NAA JISSE HOKAR HUM IS DUNIYA KE ANDAR AAYE THE......

HAAN,YE WAHI HAI....DEKHO MIRROR KE NICHE BUDDHI MATHAN LIKHA HAI.....

PAR YE YAHAN KYA KAR RAHI HAI.....????

RONIT ne ek sawal se apni baat shuru ki thi jisse SHAILA ne ek naye sawal ke saath aage badha diya....

toh doston hua yun ki jaise hi RONIT aur baaki teeno ne apne apne naam ki aakrutiyon ko chune ke liye haath aage kiya,un roshni numa aakrutiyon ne mere doston ko apne andar kheench liya aur unhe us jagah par laa khada kiya jis jagah par mere dost is waqt khade the....

is waqt jahan mere dost khade the wo jagah hari bhari ghaas ke layer se bani ek bohot badi field thi....

aur us maidan ke jis point par mere dost khade the,unse thodi hi aage ek bada sa MIRROR hawa me latka hua tha...

ye wahi MIRROR tha jisse hokar mere dost is duniya ke andar pahunche the.....

us mirror ko dekh apna apna aashay bata sab apni apni soch me gum the...

wahin mere doston ke gaayab hote hi DHANUR ke aage ek baar firse ek bada sa parda ban gaya jisse wo mere doston ko aur unke aage tange mirror ko dekh paa rahe the..

par is baar DHANUR ko kuch fark lag raha tha..aur wo ye ki pichli baar us parde par wo mere doston ki awaaz bas sun paa rahe the,par is baar unhe mere doston ki awaaz unke kaano me gunjti hui si mehsoos ho rahi thi..

unhe aisa lag raha tha maano mere dost unke paas hi khade hokar baat kar rahe hon..

aur is baat ke dimag me click karte hi DHANUR ko ek khayal aaya..apne khayal ki sachayi parakhne ke liye.....

DHANUR-kya aap sab mujhe sun sakte hain???

ye awaaz jo DHANUR ne MAGICAL DIMENSION me khade hokar kahi thi,wo maidan me khade mere doston ke kaano me gunj uthi.....

jisse sunkar mere dost shocked hokar idhar udhar dekhne lage...

jahan mere dost shocked the wahin DHANUR asli maajra samajh gaye the......

wo samajh gaye the ki chunouti ke is padhav par unhe apne doston ka sutradhaar banana hai aur isiliye is jagah ne unki awaaz mere doston tak pahunchayi hai...

aur iska reason ye tha ki agli chunouti ko shuru karne ke liye jo ki unhe unse kuch door khadi mirror se milne waali thi,mere doston ko ussi process se guzarna padega jisse is duniya me aane waala har vyakti guzarta hai...

aur isiliye......

DHANUR- yahan wahan mat dekho..tumhe kuch nahi dikhega kyunki mai wahan hun hi nahi..mai ussi DIMENSION me hun jahan se tum sab gaayab hue the.....

aur pichle baar ki hi tarah is baar bhi mai tum sab ko dekh sakta hun....

DHANUR ki awaaz aur baaton ko sun mere doston ne idhar udhar dekhna band kar diya........par sawal toh ab bhi unke andar the aur isiliye.....

RONIT- agar aap DIMENSION me hi hain toh fir hume aapki awaaz kaise sunayi de rahi hai!!!!

DHANUR- ye faisla bhi is jagah ka hi hai..ye chahti hai ki tumhari agli chunouti ko shuru karne ke liye mai tum logon ki madad karun....

jo MIRROR tum dekh rahe ho,tum sab us MIRROR ke thik saamne jaakar khade ho jaao.....

DHANUR ki baat sun mere dost on ne waisa hi kiya jaisa karne ko DHANUR ne kaha tha..

sabhi aage badhe aur MIRROR se kuch 10 feet door uske saamne khade ho gaye..

MIRROR ki chaudayi itni zyada thi ki mere chaaron doston ke ek saath khade hone ke baad bhi mirror unse chouda lag raha tha....

MIRROR ke saamne khade hokar mere dost kuch kehne hi waale the ki tabhi....

ARRE YE SAB KYA HAI????ISNE HUME BAANDHA KYUN HAI????

ye baat mere chaaron doston ke mooh se ek saath nikli thi.....aur wo isilye kyunki jaise hi mere dost us MIRROR ek saamne khade hue,tabhi us mirror se chaar roshni se bani hui rassiyan nikli jisne mere doston ko kas kar lapet liya jisse mere dost shocked ho gaye.....

sabhi us bandhan se azaad hone ki koshish karne lage par wo kaamiyab nahi ho paaye...

taakat ke kaam naa aate dekh mere dost SPELL bolne jaa hi rahe the ki....

DHANUR- SPELL bolne ki koshish bhi mat karna...jis jaaduyi rassi se tum sab is waqt bandhe hue ho,wo koi maamuli rassi nahi hai..

jis MIRROR se wo rassi baahar nikli hai,usme ussi MIRROR ko taakat hai jo bohot zyada hai....agar tum sab ne SPELL bola toh un rassiyon me bijli doudne lagegi jiski shakti itni zyada hogi ki tum sab ek shan me hi jal kar raakh ho jaaoge..isiliye shaanti se khade raho....

DHANUR ki baat sun mere saare doston ka hilna dulna band ho gaya aur wo sab shaant khade ho gaye....

MOKALSAR-par is rassi ne hume baandha hi kyun hai???

DHANUR- astra shashtra ki ladhayi toh tumne ladh li aur jeet bhi li,par ab tumhe dimag ki ladhayi ladni hai...

jo MIRROR tumhare saamne hai usse tumhe buddhi bal ki chunouti milne waali hai...

kcuh sawal tumhare saamne rakhkar MIRROR tum sab ki pariksha legi,uske puche gaye sawaalon ke jawab dene ke liye tumhe chunoti degi....

agar tumne uske puche gaye sawalon ke jawab de diye toh thik hai,warna tum ye chunouti haar jaaoge aur us surat me jis rassi se tum sab bandhe hue ho,wo rassi tum sab ki shaktiyon ko sokh kar MIRROR ke hawale kar degi.....

SHAILA- kya hum sabse alag alag sawal puche jayenge????

SHAILA ki baat ka DHANUR kuch jawab dete
ki tabhi......

kadkadkadkad..................

ek tez awaaz mere doston ke saamne moujud MIRROR se hui jisse meri doston ki nazar uski taraf ho gayi aur tabhi.......

ek ki chot se baaki teeno
ko bhi KSHATI HOGI....

ek ka jawab baaki sab
ki bhi NIYATI HOGI....

RONIT-iski maa kaa saaki naaka......toh ye ganit hai....thik hai fir,ab kar bhi kya sakte hain...jawab koi bhi de,usse faayda bhi hum sabhi ka aur nuksaan bhi hum sabhi ka....

chal bhai MIRROR,sawalon ki ulti kar aur jawab de dekar usse saaf karte hain....

MIRROR ki baat sunkar sabhi ek chit hokar chunouti ke roop me milne waale sawalon ko sunanane ke liye saamne MIRROR ki taraf dekhne lage ki tabhi......

MIRROR ke beech waali jagah par ek shabd likhana laga jisse mere charon doston ne ek saath padha.....

CHETAWANI......yahi wo shabd tha jo is waqt MIRROR ke beecho beech likha hua tha...

aur isse pehle ki mere doston me se koi aur kuch kehta,MIRROR ke beech se ek baar firse awaaz gunj uthi....

paanch sawalon ke jawab
hal KARNE HONGE...

har galat jawab par jurmaane
BHARNE HONGE...

har sawal ke jawab ke liye
teen mouke MILENGE....

jo teeno jawab galat nikle
toh aansu chaaron ke NIKLENGE.....

paanch me se kamsekam
teen jawab ko sahi
HONA HOGA....

jo teen galat de diye,
toh zindagi bhar
RONA HOGA......

MIRROR dwara di gayi chetawani mere chaaron doston ke samajh me aa gayi thi....

wo jaan gaye the ki MIRROR unse kul paanch sawal puchegi..har sawal ke jawab ke liye un sab ko kul teen mouke milenge aur agar un teen mouko me bhi unka jawab galat nikla toh unhe iski saza milegi...

mirror dwara unsab se puche gaye 5 me se kul 3 sawal ka sahi jawab unhe dena hoga aur agar wo aisa nahi kar paaye toh wo haar jaayenge jiska sidha sa matlab hai ki unki shaktiyan unse chhin li jaayengi.....

ek ek lambi saans chhodte hue mere doston ne ek dusre ki taraf dekha aur fir saamne MIRROR me dekhte hue ek saath kaha...

SAB- hum taiyar hain......

jaise hi mere doston ne is MIRROR ki chunouti ko swikara,MIRROR me ek baar tez roshni hui aur agle hi pal MIRROR ki awaaz har taraf gunj uthi.....

PEHLA SAWAL-aisa kaun sa sawaal hai jisse tum pure din puch sakte ho aur iska jawab har baar alag alag ho sakta hai par sawal ek hi hoga?????

PERFORMANCE ANXIETY.....yahi wo cheez thi jo is waqt mere dost feel kar rahe the...

MIRROR ke sawal puchne se pehle tak toh sab normal the par jaise hi MIRROR ki awaaz unke kaano me gunji,unke maathe par bechaini ki silwaten tairne lagi....

chunouti se jeet se milne waale inaam se zyada unsab ko haar se milne waali saza ka dar satane laga tha....

aur ye sab us mayavi rope ki wajah se ho raha tha jisne is waqt mere doston ko lapeta hua tha..

wo rope us chaaku ki tarah thi jisse halal hone waale ke gardan par rakha jaata hai...

saare apne apne dar ko hi tatole jaa rahe the ki itne me RONIT ke dimag ne ek jhatka maara..

ye jhatka wo wakeup call tha jiski usse aur mere baaki ke doston ko behad zaroorat thi...

RONIT-doston,is waqt hume apna pura dhyan MIRROR ke sawalon par kendrit karna hoga....

warna hum chunouti se nahi balki khudse hi haar jaayenge....

RONIT ki awaaz aur uski baat sunkar baaki ke teeno jaise hosh me aaye..apne dimag me panap rahe dar ko hata sabhi mirror dwara puche gaye sawal ke baare me sochne lage ki tabhi.....

MIRROR-ek sawal par tum sab itna samay nahi le sakte....agar jawab nahi pata toh haar maan jaao,apni saza bhugto taaki tumhare saamne dusra sawal rakha jaaye???

RONIT- aise kaise haar maan jaaye uncle...????

aapke sawal ka jawab hai WAQT,SAMAY....

waqt kitna hua hai ye hum saara din kitne bhi baar puch sakte hain aur har baar hume alag alag jawab milega par sawal hamesha wahi rahega ki WAQT KITNA HUA HAI????

RONIT ke jawab ko sun SHAILA,AKSHAANT aur MOKALSAR ne pehle uski taraf dekha aur fir saamne MIRROR ki taraf...

wahin RONIT ke jawab dene ke baad kuch seconds ki khamoshi rahi par uske baad.....

MIRROR- SAHI JAWAB......

MIRROR ke mooh se sahi jawab sunkar jahan RONIT ke chehre par smile aa gayi wahin baaki ke teeno ka toh khushi ka thikana hi nahi raha...

agar is waqt wo sab us mayavi rope se bandhe nahi hote toh ab tak RONIT ke upar kood chuke hote...

teeno RONIT ko shabashi de hi rahe the ki ek baar firse har taraf MIRROR ki awaaz gunj uthi....

DUSRA SAWAL-

bina chue sab khaate hain,
khaakar bhi pachtaate hain,

bolo aisi cheez hai kya???
jo kehte hue sab sharmaate hain....

ab ye ek tricky question tha jisse jaise hi MIRROR ne pucha,mere chaaron doston ka dimag alag alag disha me doud utha...

sabhi ke dimag me alag alag jawab aa rahe the par sabhi apne answer ko sawal se match karne me lage hue hain aur tabhi....

MOKALSAR- mujhe lagta hai ki mujhe jawab pata hai...

MOKALSAR ki awaaz sun sabhi uski taraf dekhne lage...

RONIT- sirf lagna nahi chahiye MOKALSAR..kyunki lagne ka matlab hai ki jawab sahi bhi ho sakta hai aur galat bhi..

par hume har jawab dene se pehle us jawab ke liye puri tarah se ashwasth hona chahiye...

SHAILA- par MIRROR ne toh kaha hai naa ki hume har sawal ka jawab dene ke liye teen mouke milenge....

AKSHAANT- haan par teen mouke zyada nahi hote SHAILA...aur mat bhoolo ki agar teeno jawab galat nikle toh kya hoga!!!!!teeno jawab ke galat hote hi MIRROR ke dwara hume saza milegi...

zaroor us saza se naa sirf hume taklif hogi balki uske baad bhi aur ye humare liye achi baat nahi hogi aur khaas kar is chunouti ke waqt jahan hume dimagi kasrat karni padh rahi hai....

RONIT-AKSHAANT sahi hai MOKALSAR,tumhe apne jawab ko lekar thoda sa bhi shak hai toh ek baar aur soch lo aur fir jawab do...

abhi aur koi kuch kehta ki.......

MIRROR- tum sab ko bataya jaa chuka hai ki ek sawal ke liye tumhe itna waqt nahi diya jaa sakta...

ye aakhri chertawani hai..agar aage se tum sab ne sawal ka jawab dene ke bajaaye yun ek dusre se baat me samay vyarth kiya toh us surat me tumhare 3 mouko me se 1 ko kaat diya jaayega jisse tumhe saza milegi....

ab bina samay vyarth kare puche gaye sawal ka jawab do.....

MIRROR ki baat sun mere dost thode tention me aa gaye the kyunki abhi tak wo sab kisi ek natije par nahi pahunche the..

par MOKALSAR ke man me MIRROR ke puche gaye sawal ka jo jawab ubhar raha tha,wo sahi lag raha tha aur isiliye.....

MOKALSAR-jawab hai DHOKA.....

DHOKE ko chua nahi jaa sakta,fir bhi log isse khaate hain,aur khaakar aksar pachtaate hain,par DHOKA khaane ke baad bhi is baare me baat karne se sab sharmaate hain....

MOKALSAR ne jawab toh de diya tha par ab uska dil dhaad dhaad karke baj raha tha...

same haalat baaki sab ki bhi thi....wo sab ye tak bhul gaye the ki agar MOKALSAR ka jawab agar galat bhi hua toh bhi unke paas aur do mouke hain MIRROR ke sawal ka sahi jawab dene ke liye....

sabhi dhadakte dil ke saath MIRROR ki taraf dekhne lage....

wahin RONIT ke pehle jawab ke dene ke baad jis tarah ki shaanti kuch der tak chaayi thi,thik waisi hi shanti is baar bhi apni baahe pasare har taraf faili hui thi aur tabhi.....

MIRROR-SAHI JAWAB.....

MIRROR ke dwara bole gaye ye do shabd mere doston ke registaan ban chuke dilon ke upar paani ki bouchar ki tarah padi...

sabhi ki khushi ka thikana hi nahi raha..sabhi apna apna thumbsup karke MOKALSAR ko sahi jawab dene ke liye congrats kehne lage...

sabhi apni khushi me magn hi the ki tabhi...

MIRROR-TEESRA SAWAL........agar is sawal ka jawab tum sab ne sahi de diya,toh tum chaaron is chunouti ke vijeta ban jaaoge....

MIRROR ki awaaz ek baar firse har taraf gunj uthi jisse sunkar pehle toh jo khushi ki bouchar mere doston ke dilon par ho rahi thi,wo ek jhatke me rook gayi aur wo area ek baar firse nervousness ke registaan me badal gaya..

par jaise hi MIRROR ne apni baat aage badhayi toh sabke chehre par khushi ki chamak aa gayi...

sabhi ke confidence wapas aane lage..ek sawal aur chunouti paar,is khayal ke man me ubharte hi sab romanchit bhi ho uthe aur thode nervous bhi....

sabhi dhadakte dil se ek baar firse MIRROR ke sawal ka intazar karne lage....

TEESRA SAWAL-us chiz ka naam batao,chize aag jala nahi sakti,shashtra usse kaat nahi sakte,paani usse bhigo nahi sakti aur maut usse maar nahi sakti......

SHAILA-hawa.......

SHAILA ne bina ek pal gawaye MIRROR ke dwara puche gaye sawal ka jawab de diya...

SHAILA ko itni jaldi jawab dete sun baake ke teeno ek taraf shocked bhi hue aur saath hi khush bhi...

shocked isiliye kyunki jawab dene me SHAILA ne ek second bhi nahi lagaya tha aur khush isiliye kyunki unhe laga ki ye sawal shayad SHAILA ne pehle bhi kahin suna hoga aur isiliye usne itni jaldi jawab de diya......

sab khushi khushi MIRROR dwara SAHI JAWAB sunanane ke liye betabi se MIRROR ko dekh hi rahe the ki tabhi MIRROR se awaaz gunji.....

MIRROR-GALAT JAWAB.......

ek second se bhi kam samay me chaaron ki kushi dukh aur tention me badal gayi..teeno kabhi MIRROR ki taraf dekhte toh kabhi SHAILA ki taraf...

kehte hai ki kabhi kabhi confidence kab over confidence me badal jaaye,pata hi nahi chalta..thik aisa hi kuch abhi hua..

do sawalon ke back to back jawab dene ke baad SHAILA ka na sirf confidence badha,balki us confidence ne kuch zyada hi aage badhkar over confidence ka roop le liya tha.....

aur ussi cover confidence me aakar bina sawal aur uske jawab ko anylize kiye SHAILA ne jawab de diya tha jiska khamiyaja uske saath saath uske doston ko bhi uthana padha tha...

unke teen moukon me se ek mouka khatm ho chuka tha.....

jahan ek taraf SHAILA apni jaldbaazi aur uske parinaam ki wajah se sir neeche kiye khadi thi wahin mere baaki ke teeno dost kuch der tak toh SHAILA ki taraf ghusse se dekhte rahe par fir un sab ne apna dimag MIRROR ke jawab ki taraf laga diya..

ab bhi unke paas do mouke aur the is sawaal ka jawab dene ke liye isiliye sabhi lag gaye apne apne dimag ke ghode doudane....

aur sabse pehle natije par pahunche MOKALSAR BHAI SAHAB.......

MOKALSAR-kawach.......

MOKALSAR ke jawab ko sun ek baar fisre baaki ke teeno ne uski taraf dekha aur fir MIRROR ki taraf dekhne lage..

vyakul toh sabhi the par sabse zyada dari hui par ummid kiye hui ki jawab sahi ho SHAILA thi...

wo ek tak MIRROR ki taraf dekh rahi thi aur tabhi......

MIRROR-GALAT JAWAB........

jaise hi MIRROR ki awaaz ne MOKALSAR ko fail bataya,MOKALSAR ke saath saath baaki ke teeno ko ek tez jhatka laga aur sabhi ek dusre ki taraf dekhne lage..

wahin MOKALSAR sabhi ki taraf dekh aakhon hi aakhon me sabhi ko sorry bol raha tha..par ab sorry bolne se kya faayda hona tha..jo ho gaya so ho gaya...

ab mere doston ke paas bas ek hi mouka baaki tha....SHAILA aur MOKALSAR ne already galat jawab de diye the isiliye aur ek baar jawab dene ki un dono me bilkul bhi himmat nahi bachi thi..

iska matlab tha ki jo bhi jawab ab saamne aayega,ya toh wo AKSHAANT ki through aayega ya fir RONIT ke through...

dono hi ek dusre ko dekh hi rahe the ki...

MIRROR- agar agle kuch hi palon me tum sab me se kisi ne jawab nahi diya toh tumhara teesra mouka bhi tumse chhin liya jaayega...

MIRROR ki baat sun AKSHAANT jhat se bol pada..

AKSHAANT- mere dimag me abhi tak is sawal ka jawab nahi aaya....

RONIT- mere dimag me bhi kuch khaas idea nahi aaya hai,bas ek guess hai par wo kitna sahi hai iske baare me mai kuch nahi keh sakta....

AKSHAANT-agar humne aur vilamb kiya toh waise bhi humarateesra avum antim kouka humse chiin liya jaayega toh isse acha hai ki jo bhi jawab tumhare mastishk me ubhra hai,wo tum bol do...

AKSHAANT ki baat RONIT ko theek lagi aur isiliye.....

RONIT-BHAAVNA......

yahan RONIT ne jawab diya,wahan baaki ke teeno ek baar firse aankhon me ummid liye MIRROR ki taraf dekhne lage...

aur agle hi pal.........

MIRROR-GALAT JAWAB.........SAHI JAWAB HAI PARCHAYI.........

tum sab is sawal ke apne teeno mouke gawan chuke ho...isiliye saza ke liye taiyar ho jaao....

MIRROR ki baat toh jaise mere doston ne suni hi nahi..un sab ko toh jaise yakin hi nahi ho raha tha ki unke teeno jawab galat the....

bhale hi chaaron ne MIRROR ki awaaz aur uski baat nahi suni ho,par jo MIRROR ne bola tha,wo toh hona hi tha...

MIRROR ki baat khatm hone ke agle hi pal....

AAHHHHHHHHHHHHHHHH.................

AHHHHHHHHHHHHHHHHH.................

AHHHHHHHHHHHHHHHHH.................

AHHHHHHHHHHHHHHHHH.................

chaar dard bhari awaaz fizaon me gunj uthi..ab batane ki zaroorat toh hai nahi ki ye dard bhari cheekhen kiski thi...

par batane waali baat ye thi ki jo dard is waqt mere chaaron doston ko ho raha tha,wo sirf shaaririk dard nahi tha,balki maansik bhi tha....

toh hua yun ki MIRROR ki awaaz ke gunjane ke agle hi pal jis mayavi rope se mere chaaron dost bandhe hue the,wo rope aur tez chamakne lagi..

aur aisa hote hi mere doston ke pure sharir se kuch halki halki kirane kheenchate hue us rope ke andar samane lagi...

ye kirane aur kuch nahi mere doston ki shaktiyan thi jinke kuch kan us rope ne kheench liya tha....

wo shakti jo naa sirf mere doston ke pure sharir me vaas karti thi balki unke aatma tak us shakti se judi hui thi...

itne gehre bandhan se kheenchte hue jab koi aapki shakti ko aapse door kar de toh jo dard mehsoos ho raha hoga,us dard ki bas kalpana maatr ki jaa sakti hai.....

shakti ke kan nikalne ki wajah se mere dost apne ghutno par aa gaye..naa sirf un sab ko aseem dard ki anubhuti ho rahi thi,balki unka dimag unhe thaka hua sa mehsoos ho raha tha...

jaisa ki MIRROR ne kaha tha,dard ki atyadhikta ki wajah se naa chahte hue bji mere doston ke aankhon se aansu chalak pade...

unhe aisa lag raha tha jaise wo sab kuch bhulte jaa rahe hain.....aur kuch chhodiye,is waqt un sabko apna naam tak yaad nahi tha aur aisi haalat ko aur baddtar banane ke liye........

MIRROR- CHOWTHA SAWAL......??????

BACK TO HERO:-

SHWETATA par laal rang
RACHEGA.....

aage tabhi badh paayega jab is
chunouti me zinda BACHEGA.....

Swaans ko roke tu aage BADHEGA....

apni parchayi ke dusre swaroop se
Dekhna hai tu kaise LADHEGA!!!!!?????

WAAH KYA PAHELI HAI????

paheli ko dohrane ke baad jaise hi maine apne kadam aage badhaye....

MAI- oh...toh is shwetata ki baat ho rahi thi...

mai apne dono haath apne waist par rakh saamne se aa rahi chiz ko apni taraf aate hue dekhne laga jo ki aur kuch nahi balki ek badi si leher uthaye mujhe roundne ke irade se meri taraf aa rahi paani thi....

wo paani jo is waqt ek samandar ka roop ikhtiyar kiye hue thi..itna hi nahi mere aas paas ka mahoul aur nazara bhi ab puri tarike se badal chuka tha...

jahan kuch der pehle tak mai ek khuli hui jagah par khada tha wahin ab mai ek sukhe hue samandar ke bhaag me khada tha...

par bohot hi jald wo sukha hua jagah wapas bhare hue samandar me badalne waala tha...

agar mai chahta toh hawa me uth us bhayankar lehar se upar uth sakta tha par maine aisa kuch nahi kiya..

wo paani ka leher ab mere behad kareeb aa chuka tha..aur jaise hi wo paani ka leher mujhe chhune ko hua,maine apne dono pair zamin par dhasa se diye......

aur agle hi pal.......

CHISSSHHHHHHHH..............

ek bohot hi tez awaaz hui..is tez awaaz ka kaaran sirf ye nahi tha ki wo paani ki laher mujhse takrayi thi,balki is awaaz ka reason tha ki leher ke mujhse takrane ke baawjud mai apni jagah se hila tak nahi...

aur issi wajah se leher mujhse takrane ke baad mere dono side se hoti hi cross ho gayi...

par shayad mujhe hila tak naa paana us paani ke maaya ko acha nahi laga..

isiliye us leher ke piche aane waali paani ne bhi bohot bade leher ka roop le liya aur sidhe aakar mujhse takrayi....

par natija wahi nikla..mai halka sa bhi piche nahi hua par is baar ek chiz badal gayi thi...

kyunki ab wo samandar ka sukha area lalalab paani se bhar chuka tha,isiliye mai paani ke kayi feet andar jaa chuka tha....

Ab paani ke neeche toh mujhse koi leher takraane se rahi isiliye mera sharir paani ke satah se upar uthne laga par tabhi........

MAI-LO....SWHETATA PAR LAAL RANG CHADHNE LAGA.......

PAHELI ka pehla bhaag pura ho chuka tha...kaise???to wo aise ki SHWETATA jiska matlab paani tha ab wo paani dheere dheere laal rang me badalne laga tha...

ye laal rang khoon ka nahi tha balki ASMODEUS ki BLACK ENERGY ka tha par us BLACK ENERGY ke laal hone ka reason wo paani tha jiske andar mai is waqt tha,jo ki asal me ASMODEUS ki ANGELS ki shakti se jisse hum WHITE ENERGY ke naam se jaante hain,uske kano se bana tha...

ye dono hi shaktiyan jab tak ASMDOEUS ke andar rehti hain,tab tak ye mix nahi hoti par ab jab is maayajaal me ASMODEUS ne in do shaktiyon ko baahar chhod diya tha toh WHITE ENERGY jo ki ASMODEUS ke sharir ko baahar se gherti hai,usne SHWETH paani ka roop le liya..

par uske andar ki BLACK ENERGY ne jaise hi yahan aane ki wajah se uski sweth energy ko chua,toh usse apni taakat se BLACK karne ki koshish karne lagi par WHITE ENERGY iske liye taiyar nahi thi...

aur koi waqt hota toh ye dono shaktiyan ek dusre se hi ladne lagti par kyunki abhi unka sabse bada dushman mai hun isiliye unhone aapas me ek sandhi kar liya...

natija,dono hi ek dusre se mix hokar ek naye colour me joki LAAL tha,usme convert ho gayi.....

ab tak mai paani ke jis chhor par khada tha,us jagah ko chhod pura paani laal rang me badal chuka tha...

jiski wajah se jis paani ke andar kuch der pehle tak saaf saaf dikh raha tha,ab wahan laal rang ke kuch nahi dikh raha tha...

aur ek baat thi jo ajeeb bhi thi aur khatarnaak bhi...

aur wo ye ki paani ke andar bhi mai har chiz smell kar sakta hun par black aur white energies ke saath milne ki wajah se jo ye laal rang ke paani ke roop me jo naya parivartan mere saamne aaya tha,uski wajah se mai ab kuch bhi smell nahi kar paa raha tha....

aur ye bohot khatarknaak baat thi....is baat ka arth ye tha ki us laal paani me aise kan the ya fir ye kahun ki aise shield the jo mujhe kuch bhi mehsoos karne se rok rahe the aur saath hi mujhe challenge bhi kar rahe the ki mai us laal paani ko smell kar aage jo hone waala hai,usse mehsoos karun...

par aisa karte hi wo laal paani numa shakti mere senses ko kamzor kar sakti thi jisse mujhe aage badhne aur apni chunouti ko paar karne me bohot taklif hoti....

ek baat aur thi ki ab tak har jagah par us laal paani ne apna kabza bana liya tha bas us jagah ko chhodkar jahan is waqt mai khada tha..

iska matlab tha ki wo paani chahti thi ki mai khud aage badhun aur us laal paani ko touch karun....

aur iske siwa ab mere paas koi chaara bhi nahi tha kyunki aisa kare bina naahi mai aage badh sakta tha aur naahi is chunouti ko paar kar sakta tha....

aur iska matlab tha ki paheli ke dusre charan jisme likha hua tha ki "SWAANS ROKE TU AAGE BADHEGA" ke shuru hone ka time aa gaya tha aur isiliye.......

MAI-lets go.....

ek push,ek jhatka aur issike saath mai apni swaans roke aage ki taraf tairte hue badhne laga.....

mujhe saamne kuch dikh nahi raha tha aur naahi hai apni divya drishti ka prayog mujhpar aakraman hone se pehle kar sakta tha....

mere tairne ki speed bohot zyada thi...dikh toh kuch raha nahi tha isiliye maine apni aakhen band rakhi hui thi..

mai soch hi raha tha ki aage kya hone waala hoga ki achanak.......

BOOMM.................

ek tez dhamaka hua..dhamake ke impact se mera sharir jo lagatar tez gati se aage badh raha tha,mujhe halka jhatka laga aur paani ke ulte force ki wajah se mai piche ki taraf fekata chala gaya par jaldi hi maine khudko sambhal liya jisse mera sharir ek jagah par rook gaya...

toh hua ye ki aage badhte hue acahanak mere kaano me paani ke bulbulon ki halki si awaaz ubhri jo ki mere saamne se aayi thi...

us awaaz ke ubharte hi maine apne sharir ko ek jhatke me rok liya aur tabhi mere aage ki jagah par ek tez dhamaka hua...

agar maine khudko aage tairne se roka nahi hota toh us dhamake ki chapet me aa chuka hota....

par phir bhi us dhamake ke impact ke wajah se mera sharir kuch piche ki taraf tairta chala gaya tha....

abhi abhi hue dhamake se ek baat toh clear ho chuki thi ki meri chunouti ka waqt ya fir ye kahun ki paheli ki aakhri bhaag jisme kaha gaya tha ki apni parchayi ke dusre swaroop se
dekhna hai tu kaise LADHEGA!!!!!?????
ke pure hone ka waqt aa gaya hai...

apne aap ko aane waali chunouti ke liye taiyar karte waqt do aur cheezen thi jo mere dimag me chal rahi thi...

pehli ye ki jab mere kaano me us paani ke bulbule ki awaaz gunji,ussi waqt maine apni band ki hui aakhen khol di thi aur jaise hi dhamaka hua toh us dhamake ke impact ki wajah se uske aas paas aur peeche ka paani kuch der ke liye tittar bittar ho gaya tha aur issi douran mujhe paani ke piche ki taraf zameen nazar aayi thi..

wahi zameen jisme mai is chunouti ya fir ye kahun ki paani ke bharne se pehle khada tha....

jisse mai samajh gaya tha ki ye jo maaya hai uska koi daayra nahi hai..aur mai jo lagatar tair raha tha,tab bhi mai us maaya ki wajah se aage badhne ke bajaye ussi jagah par gol gol ghum raha tha...

dusri ye ki jab wo dhamaka hua,toh us dhamake waali jagah se mujhe ek bohot taakatwar energy ka abhaas hua tha...

kuch aisi hi energy jo mujhme thi aur ye koi choti baat nahi thi....aur us energy ko mai ab bhi mai ussi jagah par mehsoos kar sakta tha.....

mai is baare me soch hi raha tha ki tabhi....

ZYADA SOCHO MAT VIKRAM....TUMHARE HAR SAWAL KA JAWAB MERE SAAMNE AATE HI TUMHE MIL JAAYEGA....

ye aawaz ussi dhamake waali jagah se aayi thi jiske mere kaano me gunjte hi mai chownka..

reason...ye awaaz aur kisi ki nahi meri hi thi......mai kuch kehne hi waala tha ki tabhi us dhamake waali jagah par laal rang ke paani ke beech ek kaali aakruti banane lagi aur jaise jaise us aakruti ne roop lena shuru kiya,meri saari shankaye,doubts clear hoti chali gayi.....

kuch hi seconds me mere saamne ki aakruti ne roop le liya tha....

aur jo roop mere saamne tha usse dekhte hi mujhe paheli ka aakhri bhaag ka matlab clear ho gaya kyunki jo roop
mere saamne tha wo aur kisi ka nahi balki mera hi tha.

bas ek fark tha,ek aisa fark jo us paheli ne bataya tha aur jo fark mere astitv ki neev hai...

jahan mai ek ANGEL hun wahi mere saamne khada mera hi roop dhara wo maayavi shaksh ek DEVIL.......

do baatein aur clear ho gayi thi...

pehli....mere is laal paani ko khudke iccha se chute hi is paani ne meri shaktiyon ko khudme copy kar liya aur us shakti ko us maayavi VIKRAM me transfer kar diya jo is waqt mere saamne tha...

aur isiliye hi mujhe us dhamake waali jagah se mere hi jaisi energy ka abhaas ho raha tha.....

ab mai samajh raha tha ki ASMODEUS ne khudki dono energies ke kanon ko kyun azaad chhoda kyunki ASMODEUS jaanta tha ki sirf uski hi energies ke kaano ke andar meri shaktiyon ko copy karne ki shamata hai...

ASMODEUS ye bhi jaanta tha ki real world me meri shaktiyon ko copy karne ke baawjud koi faayda nahi hota kyunki mai apni shaktiyon se bhi zyada shaktishaaali hun kyunki mujhme LORD OF ENGELS ki urja hai jisse mai apni baaki ki shaktiyon ko hara sakta hun isiliye usne is kaam ko anjaam dene ke liye is maaya jaal ko buna...

kyunki wo ye jaanta tha ki is maayajaal me mai apni LORD OF ANGELS ki urja ka istemal nahi kar sakta kyunki mere aisa karte hi uska maaya jaal tut jaayega aur saath hi khatm ho jaayega pura MIRROR WORLD....

aur dusri ye ki is chunouti ko pura karne ke liye.........

.........MUJHE MUJHIKO HARANA HOGA..........

AAJ KE LIYE ITNA HI......

APKA APNA V...J.....
 
AB TAK AAPNE PADHA KI EK TARAF JAHAN RONIT AND FRIENDS MIRROR KE PUCHE GAYE TEESRE SAWAL KA GALAT JAWAB DETE HAIN WAHIN VIKRAM APNI CHUNOTI JOKI AUR KUCH NAHI BALKI USKA HI NEGETIVE ROOP THA,USKE SAAMNE KHADA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA UPDATE-107

PART-4

PLANET-MIRRORS WORLD

ADVENTURE CONTINOUS

KAASH........JO ROOP MAINE IKHTIYAR KIYA HAI,WO TUMHARI ASLIYAT HOTI TOH AAJ TUM AUR ASMODEUS EK SAATH MILKAR IS BRAMHAAND PAR RAAJ KAR RAHE HOTE....

mere saamne khade mere BLACK ENERGY ke roop ke mooh se ye baat nikli jisse sunkar mere chehre par smile aa gayi...

MAI-raaj toh hum dono bhayiyon ka ab bhi hai..is bramhaand ke har kone me uski bhi energy waas karti hai aur meri bhi....

aur rahi baat hum dono bhaiyon ke saath hone ki toh hum dono toh humesha saath hi hain thik nadi ke un do kinaron ki tarah jo hamesha saath saath hi rehti hai par kabhi ek nahi ho sakti.....

CLONE-bilkul ho sakti hai..aur uska tarika hai mera ye roop jisse agar tum apna lo toh dono kinare ek ho jaayenge....

MAI-is baat ko ghuma dete hain naa....ASMDOEUS bhi toh mera roop mera tarika ikhtiyar kar sakta hai...

aur yahi sahi bhi hoga kyunki uske ragon me behta BLACK ENERGY mere ragon me behte WHITE ENERGY se hi toh bana hai....

CLONE-mai jaanta tha ki tumhara aisa hi kuch jawab hoga...

MAI- phir bhi bewakufon ki tarah apna paksh rakhne lage...mujhe afsos ho raha hai ki tum mera roop ho....

meri taakat ko toh copy kar liya par mere dimag aur uski soch ko nahi.....tumhe khud ko upgrade karne ki zaroorat hai bacche.....

CLONE- tum bhul rahe ho ki mere andar tumhari saari shaktiyan hain par saath hi mere andar BLACK ENERGY ka bhi bhandaar hai....

kisse upgrade hone ki zaroorat hai,ye kuch hi der me tumhe pata chal jaayega.....

CLONE ki baat sun mai halka sa muskura diya aur agle hi pal.......

SHMMMMMMM...SHMMMMMM..............

CLONE ne mere upar ek saath kayi saare agni astra chhode aur ye astra usne apne haathon se nahi balki apni aankhon se chhode the...

par mai toh issi ke intazar me tha....jaisa ki maine bataya tha ki aakraman karne ke liye mai pehle se naa toh koi astra ka istemal kar sakta tha aur naahi koi SPELL uccharit kar sakta tha...

par khudko defend karne ke liye mai kuch bhi kar sakta tha aur ab uska samay aa gaya tha....

jo agni astra tezi se meri taraf badh rahe the,mai unhe ek tak dekhne laga...

mere aisa karne se wo agni astra apna roop badalne lage..

jahan abhi tak wo ek bhaale ke roop me meri taraf badh rahe the,wahin ab unhone ek dusre se judkar khudko ek circle ka aakar dena shuru kar diya tha ya fir ye kahun ki maine unko us aakar me badal diya tha.....

mere paas aate aate naa sirf un agni astron ne puri tarah se ek bade se circle ka roop le liya tha balki unki raftaar bhi kaafi kam ho gayi thi....

aur jaise hi wo aag ke circles mujhe chhune ko hue,mai t urant neeche ho gaya..

mere neeche hote hi wo circles mere sir ke upar se hote hue mujhe cross karne lage par isse pehle ki wo mujhe cross karte,mai jhat se wapas upar uth gaya...

mere upar uthte hi ab mera sir us circle ke baach me tha...

circle ke beech me aane ke baad maine us aag ke circle ko rok diya....

wahin mera CLONE jo meri chaal ko samajhne ki koshish kar raha tha,us aag ke circle ke rookne ke agle hi pal usse sab samajh me aa gaya..

toh hua ye ki us aag ke circle ko rokne ke baad mai us circle ko apne chaaron taraf ek bade se maala ki tarah lapete hue aage badhne laga..

mere aage badhte hi wo aag ka circle bhi bina mujhe chue mujhe chaaron taraf se ghere hue aage badh gaya.....

mera negtive roop dhaaran kiye hue mera CLONE meri chaal samajh gaya tha....

wo jaan gaya tha ki maine uski prahar ko ussike taraf mod diya hai....

aur saath saath wo meri neeti ko bhi samajh gaya tha..wo samajh gaya tha ki kyunki mai abhi ussike chhode hue astra ke ghere me hun,isiliye filhal wo mujhpar koi dusra waar nahi kar sakta..

kyunki uska kiya har waar us aag ke ghere ko chukar ussime sama jaayega....aur isiliye........

usne apna haath aage kiya..uske aisa karte hi uske haathon se ek neeli rang ki ray nikli aur meri rataf badh gayi..

ye ray us aag ke circle ko bujhane ke liye thi jo mujhe ghere hue chal rahi thi....wo neeli ray tezi se meri taraf lapki aur agle hi pal....

DHAPP............

ye awaaz aur kisi ki nahi balki mere hi negetive roop ke body se aayi thi....

reason.....neeli ray ke aag ke circle se takrane se mere aas paas ek tez prakash fail gaya....

ye tez prakash us nili ray ke mere aag ke circle se takrakar usse khatm hone se nahi hua tha balki nili ray aur aag ke circle ke chuwan se bane ek nayi ray jo ki ek kism ka astra tha,uski wajah se hua tha......

darasal jis aag ke circle ne mujhe ghera hua tha,us ghere ke andar ki taraf par maine apni shakti ki kuch urja ko lapet diya tha....

neeli ray ke aag ke circle ke takrane par meri shakti se bani urja activate ho gayi aur us aag ke ghere ko cheerte hue wo shakti urja mere negetive roop ke chhode gaye neeli ray se takrayi jisse mere har taraf prakash fail gaya.....

par wo prakash ka daayra tezi se aur zyada badhne laga..mere negetive roop ko laga ki ye sab bas shaktiyon ke aapas me takrane ki wajah se ho raha hai aur yahin wo dhoka khaa gaya.....

wo prakash ka daayra jo ki asal me ek FAANS ASTRA tha,wo badhta hua aage badhta gaya aur jaise hi us prakash ne mere negetive roop ko chhua....

THAAP ki awaaz ke saath usse ek jhatka laga aur isse pehle ki wo kuch samajhta,us prakash ne jo ki ek FAASN astra the usne usse khudme lapet liya...

ab mera negetive roop ek adrishya bandhan me bandha hua tha....

par mujhe maalum tha ki is bandhan ko todna uske liye koi badi baat nahi thi isiliye........

isse pehle ki mera negetive roop us bandhan se khudko azaad karne ke liye koi SPELL bole......

BANDHYAM SVAZAKTI

IMPRISON OWN ENERGY

maine is SPELL ko uccharit kiya.....aur agle hi pal.....

VIMUKTI

RELEASE

ye SPELL mere negetive roop ne bola tha....uske SPELL bolte hi wo adrishya bandhan jisne usse baandha hua tha,wo wapas khulne lagi par tabhi.....

meri SPELL ne apna kaam karna shuru kar diya....jaise hi wo bandhan khulne lagi,mere SPELL ne wapas us bandhan ko dhakka dekar wapas mere negetive roop ko baandh diya...

ye sab dekh ek pal ke liye mera CLONE shocked ho gaya par agle hi pal uske chehre par ek kutil muskaan naach gayi...

CLONE-waah,kya baat hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?apni shakti se jo ki is waqt mere bhi andar hai,ussise mere har taraf ek jail bana diya....

par teri ye chaal mujhse kahin zyada teri liye nuksaandaayi hai....kyunki thik jaise mai is ghere me kaid hun,tu bhi is mayavi paani me kaid hai....

aur ek baat tujhe bata dun,jis maayavi paani me tu is waqt khada hai,wo teri chunoutiyon ki aakhri sidhi hai.....

par afsos,tu kabhi is chunouti ko paar hi nahi kar paayega aur hamesha ke liye mere saath is paani ki anthin duniya me khokar reh jaayega.....

yahan se nikalne ke liye tujhe mujhe maarna hoga par tu aisa nahi kar sakta kyunki mujhme teri jitni hi shakti hai..

agar mai mar sakta hun toh bas us urja se jo ki tere andar hai par jaise hi tune us urja ko baahar nikala,toh uska sparsh is laal paani se ho jaayega aur aisa hote hi tu ye chunouti haar jaayega...

HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA...............

apni baat keh mera negetive roop zor zor se hasne laga....

HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAAAA..

ye hasi mere negetive roop ki nahi balki meri thi jisse sun CLONE ki naa sirf hasi rook gayi balki wo aascharyachakit hokar mujhe dekhne laga....

MAI-tujhe meri shakti toh mil gayi par dimag ka kya???mera dimag na toh tu copy kar sakta hai aur naa tera rachaita......

aur raha sawal mere yahan se baahar nikalne ka,toh aise chote mote chakravyuh se bhi agar mai baahar nahi nikal paaya toh laanat hai mujhpar......

apni baat keh mai aage nikal gaya..kyunki wo jail maine banaya tha,toh uske andar jaana mere liye koi badi baat nahi thi..

mai bina kisi mushkil ke us adrishya jail ke andar chala gaya aur thik mere CLONE ke saamne jaakar khada ho gaya....

jahan mere chehre par muskaan thi wahin mera CLONE ye samajhne ki koshish kar raha tha ki mai kya karne waala hun....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

MAI- zyada mat soch..jo bhi hoga,wo hote hi tujhe pata chal jaayega...

apne aap ko mere saamne laane se pehle jo dialouge mere negetive roop ne bola tha,maine bhi ussiki tarah ki baat usse kahi...

aur isse pehle ki mera CLONE kuch kehta ya fir react karta.....

mai aage badha aur jhat se apne CLONE ke gale lag gaya....

ye koi normal hug nahi tha,maine apni puri taakat se usse gale lagaya tha...

aur koi hota toh meri giraft ki wajah se kab ka mar gaya hota par kyunki saamne waale bande ke andar meri hi shaktiyan thi,isiliye usse kuch khaas fark nahi pada...

par mujhe khudko yun zor se gale lagata dekh wo khudko mujhse chhudane ki koshish karne laga par meri shakti aur saath saath us adhrishya bandhan ki wajah se wo kaamiyab nahi ho paaya...

aur tabhi........

VIMUKTI......

RELEASE.....

ENTER......

PRAVIZATI.....

jo SPELL kuch der pehle mere CLONE ne kaha tha,wo ab maine kaha aur mere SPELL ke uccharit karte hi.......

NAHIIIIIIIIIIIIIIIII........................

BOOMMMMMMMM................

pehli awaaz ya fir ye kahun ki wo cheekh mere giraft me chatpata rahe mere negetive roop mere CLONE ki thi...

toh hua ye ki mere SPELL uccharit karte hi mere body se meri LORD OF ANGELS ki urja baahar nikli par kyunki is waqt mai apne CLONE ke body se sata hua tha,isiliye us urja ka sparsh laal paani se nahi hua...

meri urja mujhse chipke khade mere CLONE ki body ko chune lagi aur tabhi maine PRAVIZATI ka SPELL bola jisse meri urja sidhe mere CLONE ke andar ghus gayi.....

ab meri urja toh koi WHITE ENERGY ka dhaarak bhi ek second ke liye tak nahi jhel sakta toh fir mere ssamne wala toh BLACK ENERGY ka dhaarak tha....

mere urja ke uske sharir ke andar ghuste hi ek tez dhamaka hua aur fir sab shaant.....

us dhamake ke saath pehli chiz ka ant ho gaya aur dusri chiz apne ant ko lapet rahi thi....

pehli chiz matlab mera negetive roop jo ab khatm ho chuka tha aur uske khatm hote hi meri urja wapas mere andar sama gayi...

kyunki mere negetive roop ko maarkar maine apni chunouti ko pura kar liya tha isiliye meri urja ke laal paani ko chune ke baawjud kuch nahi hua..

dusri cheez matlab wo LAAL PAANI jo ab tezi se wapas khud ko sockh rahi thi.....

kuch hi palon me us laal paani ne khudko puri tarah se sokhte hue wapas mujhe ussi jagah par laakar khada kar diya jahan mai is chunouti ke shuru hone se pehle khada tha....

chunouti ko paar kar us maayavi samandar se nikal maine chain ki saans ki hi thi ki tabhi.......

mujhse kuch door par ek roshni chamki aur uske dusre hi pal wahan kuch ban gaya jisse dekh mere chehre par muskaan naach gayi...

mai chalte hue us jagah pahunch gaya jahan abhi abhi kuch bana tha...

jo roshni chamki thi aur usse jo chiz bani thi wo aur kuch nahi balki ek MAGIC DOOR tha jiske dusri taraf ek chiz dikh rahi thi jisse dekhkar mere chehre par muskaan aa gayi thi....

mai chalte hue us MAGIC DOOR ke dusri taraf aa gaya..mere dusri taraf aate hi wo MAGIC DOOR band ho gaya.....

mai abhi bhi ek tak us chiz dekh raha tha...kuch der tak usse dekhne ke baad mere honth hile......

MAI- FINALLY MERI SWORD MERE SAAMNE HAI.....

BACK TO FRIENDS:-

CHOUTHA SAWAL-AISA KYA HAI JISSE TUM DENE KE BAAD BHI RAKH SAKTE HO?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

MIRROR ne apna choutha sawal mere doston ke saamne rakh diya tha par ye kya????mere dost toh zamin par pade tharthara rahe the....

apni shakti ke kuch ansh ke nikalne ki wajah se jo asahaniya dard unhe hua tha,ab wo dard ek naa khatm hone waali thakan me badal gaya tha jiski wajah se mere dost zamin par pade lambi lambi saansen bhi le rahe the aur tharthara bhi rahe the...

chaaron ne khade hone ki koshish bhi khi par unke pairon ne unke sharir ke bojh ko uthane se mana kar diya tha.....

in sab ke beech MIRROR ka pucha gaya sawal sirf aadha hi un sabke dimag me gaya aur adha unke upar se nikal chuka tha....

ye sab DHANUR bhi us mayavi parde ke through dekh rahe the.chinta ki rekhayen unke chehre par saaf dekhi jaa sakti thi....

wo jaan gaye the ki mere doston ne MIRROR ke dwara puche gey sawal ko dhang se suna tak nahi hai toh fir jawab dena toh bohot door ki baat hai.....

wo ye bhi jante the ki MIRROR apna sawal dobara nahi dohrayegi aur agar jaldi hi mere doston ne jawab dene shuru nahi kiye toh unke teen mouke unse chhin liye jaayenge...

aur isiliye......

DHANUR-mai jaanta hun ki is waqt tum sab ki haalat kaisi hai???khud hi ki shakti ke cheen jaane se tum sab andar tak hil gaye ho...

kintu aisa toh hona hi tha....puraskar jitna bada hota hai,usse paane ki keemat bhi utni hi kathin hoti hai.....

tum sab jis maksad se yahan aaye ho.agar us maksad me kaamiyab hona hai toh utho aur apne man ko shaant kar MIRROR ke puche gaye sawal ka jawab do.......

wo kya hai jisse tum dene ke baad bhi rakh sakte ho???yahi hai tum sab ka sawal...ab apna dhyan kendrit karo taaki is sawal ke jawab ko de sako......

DHANUR ki baat sun mere doston ko MIRROR ka pucha sawal jsika aadha hissa un sab ke sir ke upar se nikal gaya tha,wo ab clear ho gaya tha par ab bhi wo is condition me nahi the ki apne man ko shaant kar is sawal ka jawab dhund saken....

ye sab dekh DHANUR ek baar firse kuch kehne hi waale the ki........

MIRROR-baar baar bataye jaane ke baawajud tum sab har prashn ke uttar ko dene me bohot zyada vilamb kar rahe ho.....

isiliye ab tum sabko tumhare har mouke ka upyog karne ke liye kewal 60 pal milenge...

agar 60 palon me bhi tumne jawab nahi diya toh tumhara wo mouka radh ho jaayega....
aur agle mouke ke 60 pal shuru ho jaayenge...

is sawal ke tumhare pehle mouke ke liye tum sabne atyadhik samay le liya hai isiliye tumhara pehla mouka radh kiya jaata hai..

tumhare dusre mouke ke 60 pal shuru hote hain ab..........

ab ye ek naya niyam laagu ho gaya tha jo kahin na kahin sahi bhi tha..MIRROR ke lagatar aagah karne ke baawajud mere dost bohot zyada waqt le rahe the...

aise me MIRROR ka koi naya aur kada niyam banana toh banta hi tha....jaisa ke MIRROR ne bataya ki un sab k pehla mouka khatm ho chuka tha aur ab bas do mouke bache the...

MIRROR ke ghoshna ke baad se hi DHANUR lagatar mere doston ko sawal ko samajhne aur jawab dene ke liye protsahit kar rahe the....

mere dost bhi ab is time limit me apne dimag ke jitne ghode dauda sakte the,wo sab douda rahe the par unhe MIRROR ke sawal ka koi jawab sujh hi nahi raha tha aur tabhi.....

MIRROR- dusre mouke 60 pal samapt hue....tum sabke teesre aur aakhri mouke ke 60 pal shuru hote hai ab.....

MIRROR ki awaaz aur baat sun mere doston ko ek jhatka laga...

jo thakawat aur kamzori wo sab mehsoos kar rahe the,wo ek jhatke me gaayab ho gayi...

aisa hone ki do wajah thi..pehli toh yahi ki wo sab bina koi jawab diye haarna nahi chahte the aur dusri wajah thi dar...

dar dobara us dard se guzarne ka jisse wo sab abhi abhi guzre the....mere chaaron dost tezi se apne dimag ke ghode doudate hue MIRROR ke sawal ke jawab ko talashne ki koshish kar hi rahe the ki tabhi RONIT ke dimag ke dimag me jaise ek bijli si koundhi par isse pehle ki wo kuch kehta......

MOKALSAR-jawab hai khushi......

RONIT se pehle MOKALSAR ne jawab de diya....

par MOKALSAR ke mooh se jawab sun jahan ek taraf AKSHAANT aur SHAILA ummid lagaya MIRROR ki taraf dekhne lage wahin RONIT ne apna maatha peet liya.......

hamesha ki tarah MOKALSAR ke jawab dene ke baad kuch der tak khamoshi rahi aur fir.....

MIRROR-GALAT JAWAB.......

SAHI JAWAB HAI

VACHAN............

jahan MIRROR ke dwara galat jawab sun AKSHAANT.MOKALSAR aur SHAILA nirash ho gaye the wahin sahi jawab sun teeno shocked ho gaye.....

reason...ye jawab MIRROR ne nahi RONIT ne diya tha..aur jawab dene ke baad afsos waali nazaron se mere doston ki taraf dekh raha tha....

RONIT- agar aapko kisi faisle se taklif ho,par fir bhi saamne waali ki khushi ke liye aap us faisle ko maan jaaye toh wo khushi aap sirf saamne waale ko hi de sakte hain,khud nahi rakh sakte....

aise me KHUSHI kaise jawab hua??

MIRROR-jabki VACHAN hi ek aisi chiz hai jisse aap dete toh saamne waale ko ho par wo rehti aap hi ke paas hai...

RONIT ki baat ko MIRROR ne pura kiya......

AKSHAANT- jab tumhe jawab pata tha toh bola kyun nahi.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT- jaise hi mere dimag me ye jawab aaya,thik ussi waqt MOKALSAR ne bina vichar vimarsh kiye jawab de diya....

RONIT ki baat sun MOKALSAR ka sir neeche ho gaya.....

MOKALSAR- mujhe maaf kar do..mujhe sayam.......AHHHHHHHHHHHH............
AHHHHHHHHHHHH............
AHHHHHHHHHHHH............
AHHHHHHHHHHHH............

MOKALSAR ki baat puri hoti usse pehle hi uske saath saath baaki ke teeno ki bhi dard bhari cheekh har taraf gunj uthi....

us maayavi rope ne jisne mere doston ko lapet rakha tha,usne apna kaam kar diya tha....ab mere doston ki shakti ka aadha bhaag us rope ne unse kheench liya tha...

is baar dard itna zyada tha ki mere chaaron dost us dard ko naa jhel pakar behosh ho gaye...

par ye behoshi me milne waali chain bhi mere doston ke nasib me nahi thi kyunki unke behosh hote hi rope se ek current nikli jiske mere doston par padte hi chaaron ko ek jhatke me hosh aa gaya...

is waqt dard ki lakeeren mere doston ke chahre par saaf dekhi jaa sakti thi par wahain mere doston ko sab kuch dhundala dhundala sa dikh raha tha....

wo chaaron bohot zor zor se saansen le rahe the maano milon lambi doud lagakar aaye hon...aur aise me mere doston par zara sa bhi rehem naa dikahate hue.....

MIRROR-PAANCHVA SAWAAL.......

wo kya hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

jo andha bhi hai,
behera bhi hai,
aur gunga bhi hai
par bolta hamesha sach hai.....

is antim sawal ke pehle mouke ke 60 pal shuru hote hain ab!!!!!

pichli baar toh mere doston ne kamsekam sawal ka aadha hissa suna bhi tha,par is baar un sab ki haalat itni zyada kharab thi ki MIRROR dwara pucha gaya aakhri sawal ka koi bhi bhaag unke kaano tak jaise pahuncha hi nahi tha....

sabhi apni bachi hui shakti ko samet kar khudko kaabu me karne ki koshish kar rahe the...

aur insab ke beech unke pehle mouke ke liye diye gaye 60 pal nikalte jaa rahe the..

aur is baat se DHANUR awgat bhi the aur pareshaan bhi...wo is baat ka bhi andaza ho gaya tha ki mere doston ne apne is BUDHI MANTHAN ke chunouti ka aakhri sawal jispar un chaaron ki puri niyati nirbhar hai,wo suna tak nahi hoga aur isiliye.....

DHANUR-wo kya hai jo andha bhi hai,
behera bhi hai,
aur gunga bhi hai
par bolta hamesha sach hai.....
!!!!!

DHANUR ne is paheli ko lagatar do baar dohraya...

iske alawa unhone kuch bhi nahi kaha kyunki wo jaante the ki is waqt koi bhi motivational baat mere doston par kuch khaas asar nahi karegi...

wahin mere dost jo ki apne aap ko sambhalne me lage hue the,unhe bhi abhaas ho gaya tha ki MIRROR ne apna aakhri sawal bol diya hai jo unhone nahi suna hai....

aur is vichar ke man me ubharte hi sabhi ghabra se gaye the..wo jaante the ki is antim sawal par unki zindagi tiki hui hai...

kya karen kya naa karen,issi gutthi ko wo chaaron suljhaane ki koshish kar hi rahe the ki itne me un sab ke kaano me DHANUR ki tez awaaz gunji jisme unhone paheli dohraayi thi....

paheli ke dobara kaano me padte hi sabhi ke chehron par rahat ke bhaav aaye par ye rahat shanik hi thi....

ab paheli toh sabne sunli thi par suljhana abhi baaki tha aur ye asaan nahi hone waala tha....

par fir bhi chaaron ne kisi tarah khudko andar se mazboot kar paheli ke jawab ke baare me sochna shuru hi kiya tha ki....

MIRROR- pehle mouke ke 60 pal samapt hue.....dusre mouke ke 60 pal shuru hote hain ab.....

chaaron ne khudko andar se mazboot banakar paheli ka answer dene ke liye focus kiya hi tha ki MIRROR se nikli awaaz sunkar charon ke manobal ek baar firse gir gaye....

ye baat parde par DHANUR ne bhi notice ki thi isiliye...

DHANUR- ye mat socho ki ek mouka chala gaya..ye socho ki ab bhi tum sab ke paas do aur mouke hain jinka matlab hai do zindagi....

in do zindagiyon ke beech tum sab ka bhavishya latak raha hai...ab afsos karna chhodo aur in baaki ke bache do mouko ka pura laabh uthao....

DHANUR ki baaton se aur waqt ke fisalte lamho ki ehmiyat samajh kar mere chaaron dost ek baar firse khudme confidence bhar paheli ke answer ke baare me sochne lag gaye..

par har beetate waqt ke saath saath mere doston ka confidence wapas girne laga tha....

abhi unsab ko sochte hue kuch hi pal guzre the ki...

MIRROR- dusre mouke ke 60 pal samapt hue.....teesre avum antim mouke ke 60 pal shuru hote hain ab.....

ek baar fir ye awaaz har taraf gunj uthi par is awaaz ke gunjte hi mere doston ke dilon ki dhadkan maano rook si gayi....

jahan ek taraf SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT ne toh jaise ummid hi chhod di thi wahin RONIT dusre mouke ke khatm hone ki baat sunkar bhi sochne me laga hua..

haarne ke dar se tention lene ka koi faayda nahi hai,yahi soch ko apna mulmantra bana kar RONIT paheli ko sujhaane me laga raha....

par kareeb 40 seconds nikalne ke baad bhi jab RONIT kisi natije par nahi pahuncha toh uska confidence ladkhadane laga...

wahin SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT toh pehle hi haar maan chuke the......

SHAILA-itne saare pratidwandiyon ko haraane ke baad maine kabhi nahi socha tha ki ek din mai ek AAYINE ek DARPAN se haar jaaungi......

SHAILA ki baat par koi apni pratikriya deta ki tabhi.....

MIRROR- antim 10 pal shesh hain......

MIRROR ki awaaz gunjte hi sabhi ko ek jhatka laga par is jhatke ke kaaran do hisso me bate hue the..

ek hissa tha SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT ka jinhe jhatka MIRROR ki kahi gayi baat se laga tha...

wahin dusre hisse me akela RONIT tha jisse jhatka lagne ka kaaran MIRROR ki kahi gayi baat nahi balki SHAILA ki kahi gayi baat thi...

REASON.....aayiye khud jaan lijiye......

RONIT-arre ye mere dimag me pehle kyun nahi aaya.....thank u SHAILA....anjaane me hi sahi,jawab toh tumne khudhi de diya...

RONIT ki baat kisi ko samajh me nahi aayi par abhi RONIT ko un sab ko explain karne ka waqt nahi tha isiliye....

RONIT-jawab hai DARPAN,AAIYNA,MIRROR.......

darpan naahi dekh sakta hai,na hi bol sakta hai aur naahi sun sakta hai par fir bhi hamesha sach bolta hai........

RONIT ki baat sun mere baaki ke teeno doston ko shock laga.....ussi shocking expression ko carry karte hue un teeno ne pehle RONIT ko dekha aur uske un teeno ki nazaren MIRROR ki taraf palat gayi....

wahin hamesha ki tarah RONIT ke jawab dene ke baad hamesha ki tarah kuch der tak khamoshi chaayi rahi aur uske baad.....

MIRROR-SAHI JAWAB......CHUNOUTI PURN HUI......

MIRROR ki baat sunkar mere doston ke man me khushi ki leher doud gayi..teeno prashanshniya bhaav liye RONIT ko dekhne lage....

par tabhi.........

AHHHH....AHHHH......AHHHHH.....AHHHH......

ye awaaz bhi mere doston ke mooh se hi nili thi par is baar ye cheekh nahi bas ek halki si awaaz thi aur reason....

jo shaktiyan MIRROR ne mere doston ki jo shaktiyan us mayavi rope ke maadhyam se kheench li thi,usse usne ussi rope ke maadhyam se mere doston ko waapas kar di thi...

apni shakti ke wapas apne sharir me sancharit hone ki wajah se mere doston ke mooh se ye awaaz nikli thi...

par jaise hi mere doston ki shakti unke sharir me wapas gayi,sabhi ki thakan bhi puri tarike se gaayab ho gayi....

wahin mere doston ko unki shakti louta wo maayavi rope bhi gaayab ho chuki thi...

rope ke gaayab hote hi mere chaaron dost ek dusre ke gale lag ek dusre ko badhayi de rahe the ke tabhi....

jahan MIRROR tha,wahan par tez prakash fail gaya aur us prakash ke kirano ne ek baar firse mere doston ko kheench liya aur kuch hi der me mere dost ek nayi jagah par khade the..

ye jagah ek khaali hall jaisa tha jiske dono side me 2,2 rooms bane hue the........

pehle toh mere doston ki nazar us hall me hi ghumti rahi par jaise hi unki nazar ghumte hue un chaar rooms me gayi,toh chaaron chownk gaye..

reason......har room ke upar mere ek ek dost ka naam likha hua tha....par saath hi ussi naam ke upar har room me do common words likhe hue the.....aur wo do words the...

ANTIM CHUNOUTI........

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V...J.....
 
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RONIT AND FRIENDS MIRROR WORLD KI AAKHRI CHUNOUTI TAK PAHUNCH GAYE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIKRAM NE BHI ASMODEUS KE MAAYAJAAL KO TOD DIYA HAI AUR SAATH HI USSE USKI TALWAR BHI MIL GAYI HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA UPDATE-108

FINAL PART

PLANET-MIRRORS WORLD

FINAL ADVENTURES

KUCH DER AUR SABR KAR LE,TUJHE TERI MANZIL TAK ZAROOR PAHUNCHA DUNGA...

maine apne seene ke upar halka sehlaate hue apni baat kahi....kyun???kuch der me aapko pata chal jaayega.....

khair,mai MAGIC DOOR ke dusri taraf toh aa gaya tha,par abhi tak maine apne kadam apne SWORD ki taraf nahi badhaye the....

SWORD is waqt mujhse kuch door ek diwal par tangi hui thi aur mai jaanta tha ki talwar par mere haathon ka sparsh hote hi kya hone wala hai...

ASMODEUS ke banayi jis maayavi duniya ke cbunoutiyon ko maine paar kiya tha,wo us chunouti ke saamne kuch nahi thi jiska saamna mujhe ab karna tha....

par is chunouti ko paar karne ke alawa mere paas aur kuch chaara bhi nahi tha...

ek lambi saans chhodte hue maine apne kadam aage badhaye aur tabhi.....

mere kadam aage badhate hi talwar tez chamakne lagi aur thik waisa hi prakash mere seene ke beech bhi hone laga par maine in sab chizon par dhyan naa dete hue aage badhne laga aur chalte hue thik meri SWORD ke saamne pahunch gaya....

ek pal SWORD ko dekhne ke baad mere haath usse sparsh karne ke liye aage badh gaye aur jaise hi mere haathon ka sparsh SWORD se hua...........!!!!!

jo roshni SWORD se aa rahi thi wo aur tez ho gayi aur ussi roshni ki aad lete hue SWORD gayab ho gayi....

SWORD ka gaayab hona hi wo baat thi jiske baare me maine kuch der pehle kaha tha..mai jaanta tha ki mere sparsh karte hi SWORD gayab ho jaayegi.....

aur jo baat nahi pata thi,wo bhi SWORD ko sparsh karte hi pata chal gayi thi....kya??ye bhi kuch der me aapko pata chal jaayega...

par mujhpar us tez roshni ka koi asar nahi hua tha..maine SWORD ko gaayab hote hue dekha tha......

aur SWORD ke gayab hone ke baad bhi uski energy mai mehsoos kar paar raha tha isiliye SWORD ke gayab hone ke agle hi pal mai bhi uski energy ko follow karte hue gayab ho gaya......

KAAL PAASH.........wo bandhan jisse AGRASENA bandhe hue the.....us bandhan me hone ke baad se aaj pehli baar tha jab AGRASENA ke chehre par muskaan thi....

aur us muskaan ki wajah thi unki SWORD jo is waqt unke saamne hawa me tair rahi thi...

kuch der tak hawa me tairne ke baad wo SWORD AGRASENA ke thik saaamne aakar khadi ho gayi aur agle hi pal.......

SWORD se ek tez beam nikli jiske KAAL PAASH ke bandhan par padte hi wo bandhan ek jhatke me toot gaya aur aisa hote hi AGRASENA azaad ho gaye...

azaad hote hi AGRASENA ne apne haath aage kiye aur agle hi pal SWORD tezi se aage badhi aur AGRASENA ke haathon me aa gayi..

SWORD ko sparsh karte hi AGRSENA ki shakti 1000 guna tak badh gayi thi....unke chehre par wahi tej lout aaya tha jo bandhan me bandhane se pehle hua karta tha....

BEELZEBUB ne AGRASENA ko chhal se unki SWORD se alag karke unhe haraya tha par agar wo SWORD ke saath AGRASENA se ladhta toh nishchit hi ek shan bhi nahi lagta usse AGRASENA se haarne me.....

shakti ke badhne ki wajah se KAALPASH me bandhe rehne ki wajah se jo kamzori AGRASENA ko mehsoos ho rahi thi,wo khatm ho chuki thi....

jahan ek taraf SWORD ko dekhkar aur wapas haasil karkar AGRASENA behad khush the wahin jaise hi unhone SWORD ko sparsh kiya toh wo ek pal ke liye chownk bhi gaye the...

par ye SHOCK bas ek pal ke liye hi tha kyunki agle hi pal AGRASENA ko jis baat par shock laga tha,ab ussi baat par unke chehre par ek muskaan naach gayi....aur agle hi pal......

AGRASENA ke saamne ek tez roshni fail gayi aur kuch der baad jab wo roshni ghati toh unke saamne mai khada tha......

yahi wo baat thi jisse jaankar AGRASENA shocked hue the...SWORD ke sparsh karte SWORD ne unhe mere aagaman ke baare me bata diya tha.....

AGRASENA-TOH AAKHIRKAAR PARMESHWAR PUTR LORD OF ANGELS APNI AMANAT KO LENE AA HI GAYE......

apni baat keh AGRASENA apne ghutno par jhukne ko hue par maine aage badhkar unhe aisa karne se rok diya....

MAI-PARMESHWAR ke nirmaan kiye sabse amulya ratno me se ek hain aap....aapko mere aage jhukne ki koi zaroorat nahi hai....

ye mera soubhagya hai ki mai aapke saamne khada hun.....

meri baat sun AGRASENA ke chehre par aayi khushi double ho gayi.....

AGRASENA-aapne jo bhi kaha wo aapka badappan darshaata hai LORD.....

aapke saamne khada hona hi kisi ke liye bhi bohot badi baat hai....aapse bhet karne ke liye,aapko aapki amanat soumpne ke liye mai najaane kitni sadiyon se aapki pratiksha kar raha hun....

MAI- isiliye aapne is SWORD ko mujhe soumpne ke liye ye shart rakkhi ki isse paane ke liye mujhe issise aapko maarna hoga????!!!!

meri baat sun AGRASENA ka sir neeche jhuk gaya.....unhe laga ki mujhe unka yun shart rakhna wo bhi meri hi jaagir ko mujhe soumpne ke liye acha nahi laga aur isiliye.....

AGRASENA- shama kijiyega LORD......par aisa karna mere liye atti awashyak tha...

aap hi ki tarah kisi zamane me aapka bhai ASMODEUS bhi WHITE ENERGY ka waaris tha....

par badalte waqt ke saath wo bhi badal gaya...usne apni ussi WHITE SHAKTIYON ka galat faayda uthate hue khudme bramhaand ki samast kaali urja ko sametna shuru kiya....

aur dekhte hi dekhte wo CREATURE OF JUDGEMENT se DEVILS LORD ban gaya....

shakti ke is durupiyog ki wajah se hi mujhe ye kadam uthana pada....ye SWORD bhale hi PARMESHWAR PUTR ke liye jo ki aap hai bani ho kintu GOD ne isse mujhe soumpa tha...

mujhe is SWORD ko sirf GOD ke putr ko nahi dena tha balki usse dena tha jo GOD ke putr kehlaane ke laayak ho.....

kaali shakti ki halki bhi milawat uske andar naa ho.....aur isiliye maine ye shart rakhi.....

is SWORD ke mere paas rehte mujhe maara nahi jaa sakta,iske baawajud aapko isse haasil karne ke liye issise mujhe maarna hoga....

aur aisa karne ke liye.......

MAI- mujhe praman dena hoga ki mai hi WHITE ENERGY ka laayak aur asli waaris hun......

AGRASENA ki baat ko maine pura kiya jisse sunkar AGRASENA ne muskurate hue haan me apna sir hilaya....

MAI- ek aur baat bhi hai jo tumne abhi tak nahi batayi....

AGRASENA- ab aapse kya chupa hai LORD....ek aur kaam bhi hai jo aapko is SWORD ko hasil karne se pehle karna hoga aur wo ye ki aapko apni shakti se is SWORD ko neeche zamin par girana hoga.....

isse yakin dilana hoga ki

MAI- mai isse haasil karne ke kaabil hun.....

ek baar firse maine AGRASENA ki baat ko pura kiya....

AGRASENA- ji........

MAI- toh fir intazar kis baat ka....?????shuru karen!!!!!!

AGRASENA-awashya.......

aur agle hi pal..............

BACK TO FRIENDS:-

EK BAAR FIRSE TUM SAB EK DUSRE SE ALAG HONE WAALE HO...US KAMRE ME KYA HAI,YE KOI NAHI JAANTA PAR WAHAN JO BHI HOGA,USKA SAAMNA TUM SAB KO AKELE AKELE HI KARNA HOGA..

JO GALTIYAN TUM SAB NE BUDDHI MANTHAN
KI CHUNOUTI KE WAQT KI THI,UNHE YAAD RAKHNA TAAKI WAISI KOI GALTI IS CHUNOUTI ME NAA DOHRAAO.....

mere dost jaise hi apne apne naam ke room ke saamne pahunche,thik tabhi unke kaano me DHANUR ki awaaz gunj uthi.....

apne apne sir ko haan me hilate hue mere chaaron doston ne ek dusre ki taraf dekha..

sabhi ne aakhon hi aakhon me ek dusre ko all the best kaha aur fir sabne apna apna sir saamne room ke band darwaze ki taraf kar liya.....

ek lambi saans chhodte hue un chaaron ne apna haath aage kiya aur jaise hi un sab ke haath ne darwaze ko chua,sabhi darwaze bina koi awaaz kiye khulte chale gaye...

par is baar darwaze ke khulne ke baad bhi naahi koi tez roshni hui aur naahi mere doston ko andar kheencha gaya.....

sabhi ne apne apne kadam apne apne room ke room ke andar badha diye aur jaise hi mere chaaron dost apne apne room ke andar pahunche,sabhi ke aascharya ka koi thikana nahi raha....

wahin mere doston ke apne apne room ke andar jaate hi DHANUR ke saamne ka parda chaar bhaagon me bat gaya jisse wo ab ek saath chaaron room ko dekh paa rahe the....

aur jaise hi DHANUR ki nazar un chaaron rooms par gayi......

ADHBHUDH...........

ye shabd sirf DHANUR ke mooh se nahi nikle the,balki mere chaaron doston ke mooh se bhi ye shabd room ke andar ka mahoul dekhkar hi nikal gaya tha......

reason......RONIT jis room me ghusa tha,wo room asal me room nahi tha,balki wo V.J ke ghar ka lawn tha......

wahin AKSHAANT aur MOKALSAR jin do rooms me ghuse the,wo bhi koi room naa hokar un dono ke bachpan ka gaanv tha...

SHAILA jis room me ghusi thi wo uske bachpan ka ghar tha.....

mere chaaron dost apne apne saamne ke drishya ko aankhen faade dekh rahe the aur samajhne ki koshish kar rahe the....

wahin DHANUR ko andaza ho gaya tha ki antim chunouti me zaroor kuch maayavi aur anokha hone waala hai.....

sabhi apni apni soch me magan the ki tabhi....

mere doston ke saamne ke nazare me kuch add hua jisse dekhkar jahan ek taraf AKSHAANT aur MOKALSAR ke chehre par muskaan naach gayi wahin dusri taraf SHAILA aur RONIT ki aankhon me dard dikhne laga....

reason.......AKSHAANT aur MOKALSAR ke saamne is waqt unke bachpan ke gaavn ka ek maidan tha jahan wo khela karte the,aur is waqt ussi maidan me do bacche prakat hue the...

ye bache aur koi nahi AKSHAANT aur MOKALSAR hi the.....

aur is waqt wo dono bachhe ek kapde ki banayi gendh ko paane ke liye ek dusre se ladh rahe the......

apne baalya kaal aur usme ki gayi unki shararaton ko ek baar firse apne aakhon ke saamne dekh un dono ke chehron par muskaan naach gayi.....

wahin SHAILA jiske saamne is waqt uske bachpan ka ghar tha,achanak us ghar ke darwaze ko kholte hue ek bacchi baahar nikli aur us bacchi ke peeche peeche ek aadmi bhi uska naam pukarte hue baahar aaya..

ye bachi aur koi nahi SHAILA hi thi aur jo aadmi uske peeche piche baahar aaye the,wo SHAILA ke pitah..

apne pitah ko ek baar firse apne saamne dekh SHAILA ki aakhen bhar aayi thi.....

wahin chouthe room me jahan is waqt RONIT tha,is waqt uske saamne jo nazara tha,usme bhi naye kirdaar jud gaye the...

RONIT apne saamne V.J ke ghar ko dekh sitiuation ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki itne me uske kaano me do aawaz gunji...

awaaz mere ghar ke hall se aayi thi...aur us awaaz ke piche piche do bacche bhaagte hue mere ghar ke hall se baahar lawn ki taraf aaye...

ye do bache aur koi nahi BABA RONIT aur BABY ANJALI the jo apne nanhe nanhe kadmo se bhaagte hue RONIT ke saamne aakar ek jagah baith gaye...

baithne ke baad jahan ANJALI uske saamne rakhe phoolon ko chu chukar dekhne lagi wahin RONIT lawn ke ghaans ko ukhad ukhad kar ANJALI ke upar daalne laga....

apne bachpan ki is yaad ko jisse ANJALI ke jaane ke baad RONIT ne apne man ke kisi kone me daba sa diya tha,wo aaj phir se baahar aa gaya...

aur ye sab dekh SHAILA ki hi tarah RONIT ki aakhen bhi bhar aayin....

jahan ek taraf mere chaaron dost is waqt apne apne saamne ke nazare me kho se gaye the wahi unse alag DHANUR mere doston ke saamne ke nazare aur us nazare se aaye mere doston ke chehre ke expresions ko dekh ye samajhne ki koshish kar rahe the ki aakhir chunouti hai kya???

RONITS ROOM:-

BABY ANJALI-tu hamesha mujhe tang kyun karta rehta hai????

BABA RONIT-aur tu jo meri shikayat har waqt meri mummy papa se karti rehti hai,wo????

BABY ANJALI-haan toh tu hamesha badmaashi jo karta rehta hai.....

BABA RONIT-toh usse tujhe kya???mai jo chaahe karun.....

BABY ANJALI- fir mai toh bataungi.....

BABA RONIT- toh fir mai bhi aisa karunga...

ye bol BABA RONIT jisne BABY ANJALI se baat karte karte dher saari ghaans ukhad li thi,wo sab ek saath ANJALI ke upar fek di aur bhaag nikla....

BABA RONIT ke is harkat se BABY ANJALI ghussa hokar usse maarne ke liye uske piche bhaagi.....

wahin ye sab nazara dekh RONIT toh jaise apne purane waqt me kahin kho sa gaya tha.......ki tabhi.......

AHHHH.................

ANJALI..................

toh hua ye ki BABA RONIT ke piche bhaagti BABY ANJALI ka pair achanak mood gaya jisse wo gir gayi aur girte hi uske mooh se AHHH.... ki awaaz nikal gayi jisse hamare RONIT bhaisahab ke joki ANJALI ke bachpan ke roop ko hi dekh raha tha,uske mooh se ANJALI ke naam ki cheekh nikal gayi........

RONIT doudta hua aage badha aur jaise hi usne BABY ANJALI ko uthane ke liye aona haath aage badhaya,uska haath BABY ANJALI ke sharir ke aar paar ho gaya...

par tabhi BABA RONIT joki mere ghar ke andar chala gaya tha,wo baahar aaya aur usne BABY ANJALI ko sahara dekar uthaya....

wahin BABY ANJALI ko naa chupaane se RONIT ke chehre par ek fiki muskaan naach gayi....

RONIT-mujhsa badnasib aur kaun hoga?????asliyat me toh maine tujhe kho hi diya hai par is maayavi chall me bhi mai tujhe chhu naa paaya......

ye bol RONIT piche palat gaya par tabhi........

AKSHAANT'S ROOM:-

AKSHAANT-ye drishya kaise badal gaya..arre ye toh mere baba hain....aur inke saath ye do bacche!!!!!arre ye toh mai aur MOKALSAR hain.....

AKSHAANT ke saamne jo maaya thi jisme is waqt uska gaanv ka maidan dikh raha tha,uska drsihya change ho chuka tha...

jahan kuch der pehle tak AKSHAANT aur MOKALSAR kapde se bani gendh se khel rahe the,wo achanak gayab ho gaye aur wahin ab achanak AKSHAANT ko teen log aate hue dikhe.....

ye teeno aur koi nahi balki AKSHAANT ke pitaji aur unke dono taraf se dono haath thaame BABA MOKALSAR aur BABA AKSHAANT the....

ye scene dekhkar pehle toh AKSHAANT chownk gaya par agle hi pal usse jaise kuch yaad aaya....

AKSHAANT- ye toh wahi samay hai jab mujhe aur MOKALSAR ko BABA ne yudh prashikshan dena aarambh kiya tha....

AKSHAANT apni soch me goom hi tha ki tabhi.....

A/FATHER- bachon,aaj se mai tum dono ko yudh kala sikhaunga.....

apne pitah ki awaaz sunkar AKSHAANT apni soch se baahar aa gaya.....

wahin BABA AKSHAANT aur BABA MOKALSAR ussi baat ko sunkar khushi se ucchalne lage....

un teeno ke saamne khade AKSHAANT ko bhi wo dour yaad aa gaya jab wo aur MOKALSAR lagatar apne pitah se un dono ko yudh kala sikhane ki zidh kiya karte the aur fir ek din apne bacchon ki zidh ke saamne haar maan kar unhone dono ko yudh kala sikhane ke liye haan keh diya tha...

AKSHAANT ko ehsaas ho gaya ki saamne chal raha scene ussi waqt ka hai jab pehli baar usne aur MOKALSAR ne yudh kala ki practice ki thi....

AKSHAANT muskurate hue ussi waqt ko ek baar firse apne saamne dekh khush ho raha tha...

is waqt uske saamne uske pitah usse aur MOKALSAR ko yudh kala ke basics ke baare me bata rahe the par AKSHAANT aur MOKALSAR apne pehle shashtra prashikshan ke liye betaab ho rahe the......

fir dekhte hi dekhte AKSHAANT ke saamne wo waqt bhi aaya jab usne aur MOKALSAR ne pehli baar talwar uthayi thi.....

apni un behatarin yaadon ko ek baar firse dekhkar AKSHAANT ke chehre par muskurahat aa gayi thi ki tabhi......

AKSHAANT- arre ye toh............

isse zyada AKSHAANT kuch keh nahi paaya par uski aankhon ne uske dil ki baat ki gawahi de di....

thodi der pehle tak AKSHAANT ki jin aakhon me khushi ki chamak thi,wahin ab unhi aakhon me dard ki lakire tair rahi thi....

reason....AKHSHAANT ke aankhon ek saamne chal raha scene badal chuka tha.....aur ab jo scene uske aankhon ke saamne tha,wo scene ya fir ye kahun ki wo yaad AKSHAANT ke baalya kaal ki sabse kadwi yaad thi.....

is waqt AKSHAANT aur MOKSALSAR ek pahad ki choti par the aur talwar baazi ki prashikshan kar rahe the....

waise toh ye scene kuch bura nahi tha par AKSHAANT ko maalum tha ki iske baad kya hone waala hai...

aur jo hone waala tha,usse hi ek baar firse mehsoos karke AKSHAANT bechain ho gaya tha...

jo hone waala tha usse rokne ke liye AKSHAANT aage badha taaki BABA AKSHAANT aur BABA MOKALSAR ko us jagah se kheench kar door kar sake par jaise hi AKSHAANT apne aur apne dost ke baalya avatar ke paas pahuncha aur un dono ko pakadne ke liye apna haath aage badhaya.....

uske saath bhi wahi hua jo RONIT ek saath hua tha....uska haath uske aur uske dost ke baalya avtaron ke aar paar chala gaya.....

aur thik RONIT ki hi tarah wo bhi bebes bhari aakhon se un dono ko dekhne laga..

is waqt BABA AKSHAANT aur MOKALSAR badi tezi se talwarbaazi kar rahe the...

MOKALSAR talwarbaazi ke saath saath ek gymnast ki tarah chalang laga kar idhar se udhar koodata jaa raha tha aur aisa karte karte wo kab pahad ke antim chhor tak pahunch gaya,ye naa toh usse pata chala aur naahi uske saamne khade BABA AKSHAANT ko...

dono apne me hi magan hokar talwar baazi kar rahe the...

tabhi achanak BABA MOKALSAR ki hi tarah BABA AKSHAANT ne bhi saamne ki taraf chalang lagate hue apni talwar chalayi jiske jawab me MOKALSAR ne bhi apni puri traakat lagate hue ek back flip liya par yahi usse galti ho gayi.....

BABA MOKALSAR waise bhi mountain ke edge me khada tha,back flip maarne ki ajah se uska pair ussi edge ke last point par rakhe ek pathhar par pada jo halka chikna tha.....

pathar par pair padte hi MOKALSAR ka balance bigda aur........

MOKALSAR..............

MOKALSAR..............

ek saath do cheeken nikli....

pehli cheekh BABA AKSHAANT ki thi aur dusri ye scene dekh rahe AKSHAANT ki....

par scene dekh rahe AKSHAANT ke haath me kuch tha nahi isiliye aakhon me aansu liye wo bas saamne dekhta raha wahin BABA AKSHAANT doudte hue pahadi ke last point par pahuncha aur dhadakte dil se neeche ki taraf dekhne laga......

aur tabhi.......

AKSHAANT.......mai yahan hun...mujhe bacha le mere bhai..........

ye awaaz AKSHAANT jahan khada tha,usse kuch neeche see aayi thi....

awaaz ke kaano me gunjte hi BABA AKSHAANT ki aakhen jinme aansu bhar gaye the,wo dobara chamak uthe...

dhyan se awaaz waali jagah par dekhne par BABA AKSHAANT ko BABA MOKALSAR ek ped ki tehni se latka hua dikha....

BABA AKSHAANT- tu chinta mat kar mere bhai..mai aa raha hun....

BABA MOKALSAR- jaldi aa..mere haath fisal rahe hain..mai zyada der tak is tehni ko pakad nahi paaunga....

paahadi ke last point par jahan is waqt BABA AKSHAANT khada tha,wahan se neeche utarne ke liye halke halke gadhe bane hue the.........

AKSHAANT unhi gadhon me pair jamate hue neeche utarne laga..wahin BABA MOKALSAR BABA AKSHAANT ko jaldi se usse bachane ke liye awaaz diye jaa raha tha...

BABA AKSHAANT bhi jitni jaldi ho sake,utni jaldi neeche utarta hua us jagah par pahunch gaya jo us ped ke level par thi jispar BABA MOKALSAR latka hua tha...

AKSHAANT us ped par chadh gaya aur dheere dheere sarakte hue aage badhne laga....

par problem ab bhi utni hi thi..kyunki BABA MOKALSAR jis ped ki tehni ke sahare jhool raha tha,wo tehni ped se bohot zyada aage tak nikli hui thi....

itna hi nahi,wo tehni thodi patli thi..usne ledekar BABA MOKALSAR ka bhaar sambhale hue tha aur agar BABA AKSHAANT bhi us tehni par apna wazan daalta toh wo tehni toot jaati......

kuch nayi yukti talashte hue achanak BABA AKSHAANT ki nazar uske neeche se gaye ek bade se tenhi par padi jo ki thoda patla tha....

wo us tehni ko dekh hi raha tha ki....

BABA MOKALSAR- jaldi kar AKSHAANT...mai aur zyada is tehni ko nahi pakad paaunga....

BABA MOKALSAR ki awaaz se AKSHAANT jo dekh raha tha,usse uska focus hat gaya.

BABA AKSHAANT thoda niche hue aur usne apni talwar se jo usne abhi bhi apne paas rakhi hui thi,usse nikala aur tehni ke ek chhor par waar kiya jisse tehni aadhi se zyada toot gayi...

BABA AKSHAANT ne apne haathon ko jhatakte hue tehni ko pura tod diya aur usse pakad kar wapas upar utha aur apne haath jisme tehni thi aage ki taraf badha diye....

wo tehni BABA MOKALSAR se kuch ek feet door tak pahunch gayi thi...

BABA AKSHAANT-MOKALSAR,sharir ko halka sa jhatka de aur is tehni ko pakad le...mai tujhe kheench lunga....

apne dost ki baat sun BABA MOKALSAR ne bine ek baar bhi us tehni ko dekhe apne sharir ko ek halka sa jhatka diya aur agle hi pal.......

MOKALSAR..........................

ye cheekh BABA AKSHAANT ke mooh se nikli thi....

reason......tehni ka wo sira jo MOKALSAR ke saamne tha,wo gila tha...aur jaise hi BABA MOKALSAR ne khudko jhatka dete hue us tehni ke aakhri sire ko pakda,toh fislan ki wajah se uska haath slip ho gaya aur agle hi pal BABA MOKSALSAR neeche girta chala gaya aur BABA AKSHAANT ke mooh se cheekh nikal gayi....

neeche girta hue BABA MOKALSAR ki body ek ke baad ek 5,6 pedon se takrayi aur fir ek ped jiske laten nikle hue the,usme jaakar fas gayi...

lagatar pedon se takrane ki wajah se BABA MOKALSAR ke pair aur haath toot gaye the aur wo behosh ho gaya tha...

wahin BABA MOKALSAR ke girne ke baad BABA AKSHAANT kuch der tak wahin ped par baitha hua rota raha par fir wahan se wapas upar chaddh apne ghar ki taraf nikal gaya..

ghar pahunch usne jo kuch bhi hua tha wo sab apne pitah ko bata diya.....

BABA AKSHAANt ki baat sun uske pitah kuch logon ko lekar us jagah par phunche jahan BABA MOKALSAR gira hua tha...

kuch der tak khojne ke baad AKSHAANT ek pitah ko BABA MOKALSAR ek ped par pada hua mila....

jaanch karne par jab pata chala ki BABA MOKALSAR mara nahi hai toh sabhi ne chain ki saans li....

BABA MOKALSAR ke murchit sharir ko utha AKSHAANT ke pitah ghar wapas aa gaye...

jahan ek taraf ye dekhkar ki BABA MOKALSAR zinda hai,BABA AKSHAANT khush hua wahin dusri taraf ye jaankar ki uske dost ke haath pair toot gaye hain,wo nirash ho gaya....

BABA AKSHAANT ko ye sab kahin na akahin ussiki galti lag rahi thi...

wo soch raha tha ki agar us tehni ko apne dost ki taraf badhane se pehle ek baar usne check kar liya hota toh ye sab nahi hota...

ye sab scenes AKSHAANT ke aakhon ke aage chal rahe the jinhe dekhkar uska wo barso purana dukh ek baar firse taaza ho gaya...

bhigi palkon ke saath AKSHAANT peeche palat gaya par tabhi..........

MOKALSAR'S ROOM:-

MOKALSAR-ye toh AKSHAANT ke baba hain....aur inke saath ye do bacche!!!!!arre ye toh mai aur AKSHAANT hain.....

darasal MOKALSAR ke saamne bhi wahi scene chal raha tha jo AKSHAANT ke saamne chal raha tha......

aur MOKALSAR bhi apne aur apne dost ke baalya kaal ko aur us waqt ko dekhkar khush ho gaya tha..

dheere dheere MOKALSAR ke aakhon ke saamne bhi wahi sab scenes chalne lage jo AKHSHAANT ke saamne chale the.....

aur fir uske aankhon ke saamne wo scene bhi chalne laga jab wo us ped se latka hua tha aur usse bachane ke liye AKSHAANT apni jaan ki parwah na karte hue khaayi se niche utar gaya...

MOKALSAR dekh raha tha ki kaise BABA AKSHANT ne ussi ped ki jisse wo latka hua tha, ek patli si tehni ko toda aur usse pakadne ke liye MOKALSAR ko kaha...

kaise us tehni ko pakadte hi uska haath fisal gaya aur wo neeche girne laga...

wo dekh raha tha ki kaise uska sharir kayi saare pedon se takraya aur fir aakhir me jaakar ek ped me fas gaya....

MOKALSAR ko khudko khayi se girta dekh itna dukh nahi ho raha tha jitna BABA AKSHAANT ko rota dekh kar ho raha tha...

MOKALSAR ko BABA AKSHAANT ka rona dekha nahi gaya aur uski aankhen chalak padin.....

bhigi palkon ke saath MOKALSAR peeche palat gaya par tabhi..........

SHAILA'S ROOM:-

BABY SHAILA-baba,mujhe doodh pasand nahi....mai nahi piyungi.....

ye bolkar BABY SHAILA phir se apne ghar ke aangan me idhar udhar bhaagne lagi.....

wahin SHAILA ki baat sunkar uske baba haath me doodh ka glass liye ek jagah par khade ho gaye....

S/BABA-thik hai fir...mat pee tu doodh..lekin aaj se tera mithayi khaana bhi band....mai saari mithayi bahaar logon ko baant kar aata hun....

ye bol SHAILA ke baba palte hi the ki BABY SHAILA jhat se unke aage aakar khadi ho gayi....

BABY SHAILA-nahi baba....aap meri mithayi kisi aur ko kaise de sakte hain...???

BABA- bilkul de sakta hun aur dunga bhi..jab tu meri baat nahi sunti toh mai kyun teri sunu...!!!mai toh saari mithayi baant kar hi rahunga....

BABA SHAILA- nahi naa baba....aur maine kab doodh pine se mana kiya....

BABA-acha..toh kya tere bhooth ne mana kiya tha...????

SHAILA- kisi ne bhi mana nahi kiya...zaroor aapko koi bhram ho gaya hai...laayiye,dijiye mera doodh.....

ye bol BABY SHAILA ne jhat se doodh ka glass apne pitah ke haath se liye aur ek saans me pi gayi..

par doodh pine ke baad uska mooh ban gaya jisse dekhkar suke pitah hans diye...

apne baal roop aur pitah ka ye drishya saamne khadi SHAILA dekh rahi thi..jahan kuch der pehle tak uske chehre par dard dikh raha tha,wahin us drishya ko dekh ab wo muskura rahi thi..

par ye muskurahat bas kuch lamho ki thi kyunki agle hi pal drishya badal gaya aur jo drishya SHAILA ke saamne aaya usse dekh ek pal me hi uski aankhen jhalak uthi.....

reason....is waqt jo naya drishya SHAILA ke saamne tha aur wo aur kuch nahi balki ussi raat ka tha jis raat NISHKALIKA chupke se uske baba ke shayan kaksh me ghussi aur uske sote hue baba ki neend me hi hatya kar di........

jaise hi NISHKALIKA ne khanjar SHAILA ke pitaji ke seene me ghusaya.......

BABAAAAAAAAAAAAAAAAAA..................

drishya dekh rahi SHAILA ke mooh se apne pitah ke naam ki cheekh nikal gayi.....

par SHAILA jaanti thi ki wo pal toh kab ka beet chuka tha aur jo chal raha tha wo ek maaya thi...

bhigi palkon ke saath SHAILA peeche palat gayi par tabhi..........

BACK TO HERO:-

SHAKTIYEM SPARSHAM

POWER TOUCH

chunouti shuru ho chuki thi...AGRASENA ne apne SWORD ko aage kar apna pehla SPELL bol diya tha.....

SPELL ke bolte hi SWORD se uski urja baahar aayi aur mere taraf aane lagi...

mai jaanta tha ki AGRASENA ke SPELL ki wajah se jo ye urja baahar aayi hai,isme bhi LORD OF ANGELS ke goon hain aur saath hi ye ek chumbak bhi hai....

iske mujhe chuute hi ye meri urja ko kheenchna shuru kar degi par ye jaanane ke baawajud mai apni jagah par khada raha..

aur jaise hi wo urja mujhtak pahunchi,maine khudko ek SHADOW me badal liya jiski wajah se wo urja mere sharir ko naa chukar mere aar paar hone lagi par jaise hi wo urja mere sharir ke bheetari angon se hokar dusri taraf se nikalne ko hui,mere shadow ne wapas sharir ka roop le liya....

aisa hone ki wajah se wo urja mere andar hi reh gayi...

wo urja mujhe nuksaan sirf baahar se hi kar sakti thi,andar se nahi aur isiliye hi maine ye yukti nikali thi...

bina mujhe sparsh kiye mere andar jaane aur sidhe meri andruni urja ko chune ki wajah se wo urja bhi meri urja ke saath mil gayi....

ADHBHUDH.......

ye baat AGRASENA ke mooh se nikli thi...wo bhi meri yukti ko samajh gaye the......

kuch der tak prashansaniya bhaav se mujhe dekhne ke baad.......

AGRASENA-apni amanat se do do haath ho jaaye......

ye bolkar bina mera reply sune AGRASENA ne SWORD ko meri taraf ucchal diya.....

aur agle hi pal.........

hawa me tairti hui wo SWORD mujhse kuch feet door aakar rook gayi aur aisa hote hi SWORD ke andar se ek ke baad ek 10 yodha baahar aaye aur kamaal ki baat ye thi ki un sab yodhaon ke haath me meri hi SWORD thi.........

apni nayi chaal chal AGRASENA muskura uthe aur apne waist par apne dono haath tika meri taraf dekhne lage...

waise muskaan toh mere chehre par bhi thi.....mai muskurate hue mujhe ghere un 10 yodhaon ko dekh raha tha.....

mai jaanta tha ki bhale hi mere saamne khade wo 10 log yodha hain,par ab jo yudh wo mujhse karenge,wo yudh asal me mujhse wo log nahi balki meri talwar karegi...

un yodhaon ke har prahar me meri SWORD ki shakti aur tezi mili hogi par fir bhi mai aaram se khada raha....

wahin wo 10 yodha mujhe chaaron taraf se ghere hue kuch der tak gol gol ghumte rahe par fir achanak......

mere peeche khade 2 yodha tezi se meri taraf aage badhe aur agle hi pal unki talwar tezi se mere dono shoulders ko nishana banakar chal pade aur......

soobhhhhh.............

kadak.......

pehli awaaz talwar chalne ki thi par ye waar khaali gaya kyunki jaise hi wo dono SWORD mere kandhe ke pas pahunche,maine apne aakar ko 3 guna tak patla kar liya jiski wajah se dono talwar bas hawa ko hi chir sake....

par unke talwar ke niche pahunchne se pehle hi mai bijli ki tezi se piche ghuma aur mere dono haath un dono yodhaon ke ek ek side ke shoulder par pade jisse unki shoulder ki haddi toot gayi.....

aur jaise hi ye hua,wo dono yodha ek roshni me badal kar gayab ho gaye aur dono talwar bhi wapas meri original SWORD jo ki hawa me rooki hui thi,uske andar sama gaye.....

wahin jaise hi wo dono yodhna gaayab hue,baaki ke bacche 8 yodha ek saath meri taraf lapke par isse pehle ki wo sab 1 feet bhi aage aa paate......

kadak,kadak,kadak,kadak,kadak,kadak,kadak,kadak........

kul 8 baar kadak ki awaaz aayi aur issike saath wo 8 yodha roshni me badal gaayab ho gaye aur un sab ki talwar wapas asli SWORD ke andar sama gayi.....

toh hua ye ki jaise hi wo 8 mujhe maarne ke liye aage badhe,mai waqt ko bhi maat deta hua ek ek ke piche pahunchta gaya aur saath hi ek ek jhatke me un sab ke gardan todta chala gaya...

SWORD ke is prahar ke viphal hone ke baad wo tez chamki aur aage badh thik mere saamne aakar khadi ho gayi.....

mai samajh gaya tha ki ab ye khud mujhe ladegi taaki meri yogyata ko parakh sake....

mere saamne aate hi talwar ek baar firse chali aur agle hi pal.......

soobh....soobh.....soobh.....soobh.....

ek ke baad ek SWORD ne mujhpar lagatar humle karna shuru kar diya...SWORD ki speed itni zyada thi ki hum dono se kuch door khade AGRASENA ko toh SWORD dikh hi nahi rahi thi...

wahin mai SWORD ke har waar ko aaram se dogde deta chala aa raha tha....par mere lagatar dogde dene ki wajah se SWORD ki speed aur badhti jaa rahi thi aur achanak.....

THAAPPP........

ye awaaz mere hatheli ke piche ki taraf SWORD ke mooth lagne ki wajah se aayi thi......

toh hua ye ki SWORD lagatar mujhpar tezi se waar kar rahi thi aur achanak mere seene ko nishana banakar SWORD meri taraf tezi se badhi.....

maine ye dekh liya tha isiliye isse pehle ki SWORD mere nazdeek pahunchti,mai side ho gaya....

par ye SWORD ki ek chaal thi..mere paas pahunchne se pehle hi usne apna waar badal diya aur ek jhatke me ulti ho gayi aur ghumte hue meri taraf badhi...

SWORD ke is achanak badle hue waar se bachne ke liye mai bhi dusri side hone ko hua aur mai kaamiyab bhi ho hi gaya tha par aakhri samay me talwar ki mooth mere hatheli ke back side se takra gayi...

ab ye koi maamuli talwar ki mooth toh thi nahi...uske takraate hi mere haath ko ek jhatka laga....isse mujhe kuch khaas fark toh nahi pada par haan,mai ab tak isse bas ek khel ki tarah aaram se khel raha tha par ab mere chehre ki muskaan gayab ho chuki thi aur mai ek tak SWORD ko dekhne laga....

aur jaise hi agle waar ke niyat se SWORD tezi se meri taraf lapki toh SWORD ki speed se khudko 100 guna tez karte hue mai uske piche pahunch gaya aur uske mooth ko pakad liya....

mere mooth ko pakadte hi SWORD chatpatane lagi par mujhe isse koi fark nahi pada...

kuch der tak SWORD ko pakde rehne ke baad uske mooth par apne muthi ki giraft aur tight karte maine ek jhatke me SWORD ko zameen me jad tak gada diya....

par tabhi.........

mere SWORD ko zameen me jad tak gadane ki wajah se mere aas paas ki zameen kuch palon ke liye hil gayi thi.....

wahin zameen me jad tak SWORD ko gadane ke baad jab maine apna haath uske mooth se hataya toh SWORD firse upar aane lagi par tabhi maine apna right pair SWORD ke mooth ke upar rakha aur usse wapas zamin me dhasata chala gaya.....

SWORD ek baar phir se puri zameen me dhas chuki thi par maine apna pair abhi bhi uski mooth par rakha hua tha....

SWORD apne aap ko baahar nikalne ki puri koshish kar rahi thi par kaamiyab nahi ho paa rahi thi...

SWORD toh apni jagah par hi thi par uske zamin ke andar chatpatane ki wajah se mere aas paas ki zameen ek baar firse hilne lagi aur is baar thoda zor se....

AGRASENA bhi khade khade ladkhadane lage the....wahin kuch der tak lagatar baahar aane ki naakaam koshish karne ke baad SWROD shaant ho gayi aur aisa hote hi zameen ka hila bhi band ho gaya......

AGRASENA- pratham chunouti purn hui....aapko toh sirf SWORD ko neeche girana tha par aapne toh isse zamin ke andar hi gaad diya.aapne SWORD ko saabit kar diya ki aap iske laayak hain.....

AGRASENA ki baat sun mai muskuraya aur agle hi pal maine apna pair SWORD ki mooth ke upar se hata diya.....par mere pair ke hatane ke baad bhi SWORD zamin ke andar hi rahi......

maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi SWORD ek jhatke me zamin se baahar aayi aur uske baahar aate hi maine usse pakad liya.....

par ab bhi SWORD me halki halki vibrations ho rahe the...kyun???kuch der me aapko pata chal jaayega.....

AGRASENA-ab dusri avum antim chunouti....aapko is SWORD se mujhe maarna hoga????

AGRASENA ki baat sun mai muskuraya aur tabhi.....

SOOBH............

meri talwar ek jhatke me ghumi aur agle hi pal AGRASENA ka sir uske dhadh se alag hokar zameen me gir chuka tha......

par ye kya???????

sir ke katne ke agle hi pal AGRASENA ki sir jo zameen me pada hua tha,wo hawa me utha aur wapas jaakar AGRASENA ke dhad se jaakar jud gaya......

AGRASENA- ye itna bhi asaan..........

SOOBH........

AGRASENA isse aage nahi bol paaye kyunki unke vaakya khatm hone se pehle hi meri talwar ek baar fir chali aur ek baar firse AGRASENA ka sir unke dhad se alag ho gaya...

par ek baar firse wahi ghatna kram dohraane laga....AGRASENA ka sir wapas hawa me uthne laga par isse pehle ki wo sir AGRASENA ke dhad se judta.....

mere haathon se ek ray nikli aur.....

BOOM.............

mere haathon se nikli ray AGRASENA ke dhad se takrayi jisse ek tez dhamaka hua aur us dhamake me AGRASENA ka dhad nasht ho gaya...

par isse AGRASENA ke sir par koi asar nahi hua..wo hawa me aage badhi aur kuch pal pehle tak jahan par AGRASENA ka dhad tha,uske upar wali jagah par aakar sthir ho gayi aur agle hi pal........

sir ke sthir hote hi uske neeche ek roshni failne lagi aur dekhte hi dekhte us roshni ne ek aakar lena shuru kar diya aur kuch hi der me wo aakar AGRASENA ka dhad ban gaya aur jaise hi AGRASENA ka dhad uske sir se juda,AGRASENA zinda ho gaye....

AGRASENA- ye itna bhi asaan nahi hone waala hai LORD.....

MAI- mujhe pata hai...mai toh bas time paas kar raha hun....

ye bol maine apni aakhen band ki aur kuch dekhne laga..jo dekhna tha dekhne ke baad maine apni aakhen kholi aur......

MAI- jaldi karo doston.....jab tak tum sab ki chunouti puri nahi ho jaati,mai kuch nahi kar sakta.........

BACK TO FRIENDS:-

RONIT'S ROOM-

RONIT........

RONIT piche palta hi tha ki achanak uske kaano me ye awaz gunji jisse sunkar usse tez jhatka laga aur wo turant wapas piche palat gaya...

patalthe hi ek baar firse RONIT ke aankhon se aansu nikal pade par is baar ye aansu gum ke nahi balki khushi ke the.....

bhari aankhen par chehre par muskaan liye RONIT apne naam pukarne waali ko dekh raha tha.....

RONIT-ANJALI.............

ANJALI,jo is waqt RONIT ke saamne khadi thi...wo safed kapdon me ek pari ki tarah dikh rahi thi..jiski aankhon me RONIT ke liye beshumar pyar jhalak raha tha.....

RONIT aur ANJALI ek dusre ke aankhon me ek tak dekhe ja rahe the....

RONIT-magic me illusion ke jhuth se hi sahi,kamsekam mai tumhe saamne se dekh toh paaya.....

RONIT ki baat sunkar ANJALI ke chehre par muskaan aa gayi.....

ANJALI- haan ye sach hai ki mai is maayavi duniya ka illusion hun,par ye jhooth sach ho sakta hai.....

ANJALI ki baat RONIT ko samajh me nahi aayi...wo aankhon me sawal liye ANJALI ko dekhne laga....

ANJALI-jis taalab se tum shaktiyan prapt karne aaye ho,usme SOUL ko loutane ki bhi shakti hai......

aur isiliye hi us taalab ke paani ne mujhe yahan bheja hai....agar tum chaaho toh wo paani meri soul ko tumhe louta sakta hai....
aur sharir ka nirman toh VIKRAM kar hi dega....

iska sidha sa matlab ye hai ki tum apni ANJALI ko dobara paa sakte ho.....

ANJALI ki baat sun RONIT ki khushi ka thikana naa raha.....

RONIT- kya ye ho sakta hai????kya tum sach me wapas lout sakti ho!!!!

ANJALI-tumse maine kabhi jhuth bola hai kya RONIT????

RONIT ANJALI ko gale lagane ke liye jhat se aage badha par fir wahi hua,RONIT ka haath ANJALI ke aar paar chala gaya.....

ANJALI-ek baar mai wapas lout aaun,fir hamesha tumhari baahon me hi rahungi....

RONIT-tumhe wapas laane ke liye kya karna hoga???

ANJALI- wo dekho....

ye bol ANJALI ne ek taraf point kiya..jahan ANJALI ne point kiya tha,us jagah par ek darwaza ban gaya aur jaise hi RONIT ki nazar us darwaze ke dusri taraf gayi......

RONIT- arre wahan toh!!!!

ANJALI- wahi jagah hai jahan se tum is chunouti me utarne ke liye andar aaye the....

ANJALI ne RONIT ki baat ko pura kiya...

ANJALI- tu is CHUNOUTI ko bhul jaa aur us darwaze se hote hue wapas baahar nikal jaa.....

aisa karte hi ye jagah meri soul ko tumhare hawale kar degi.....

RONIT-oh.....

RONIT kuch sochne me laga hi tha ki....

ANJALI- kya hua RONIT......????kya ye chunouti aur shaktiyan tumhare liye mujhse bhi zyada important hai......????

RONIT- nahi ANJALI......tumse zyada important toh mai khud bhi nahi hun....

ANJALI- toh zyada soch mat......aur chal mere saath...hum dono saath saath us darwaze ko cross karte hain....

RONIT ne haan me apna sir hilaya aur ANJALI ke saath aage badh gaya....

ANJALI aur RONIT ek dusre ke aankhon me aakhen daale aage badh rahe the....

wo EXIT darwaza ab un dono se kuch hi kadam door tha.....RONIT ANJALI ke saath chalte hue us darwaze ke saamne pahunch chuka tha aur usse paar karne ke liye apna right pair upar hawa me utha bhi chuka tha ki tabhi..........

AKSHAANT'S ROOM:-

AKSHAANT mere bhai......

AKSHAANT palta hi tha ki ek dard bhari awaaz uske kaano me gunji......

awaaz sunkar AKSHAANT wapas palta par palatne par jo drishya uske aankhon ke saamne the usse dekh kar usse jhatka laga....

reason....jo drishya kuch der pehle chal raha tha,wo wapas shuru ho gaya tha par is baar do fark the....

pehla ya ki kuch der pehle BABA AKSHAANT jahan leta hua tha,ussi tehni par is waqt wo khud leta hua tha aur usse thodi door tehni par BABA MOKALSAR ki jagah MOKALSAR latka hua tha...

jo awaaz AKSHAANT ke kaano par padi thi wo bhi MOKALSAR ki hi thi aur wo ab bhi AKSHAANT ki taraf hi dekh raha tha...

dusra ye ki BABA M0KALSAR ke neeche khayi nahi thi balki ek darwaza dikh raha tha jiske dusri taraf ussi talaab ka exit tha jisse hokar wo is maayvi duniya me aaye the....

AKSHAANT in sab chizon ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki....

MOKALSAR-AKSHAANT..mai jaanta hun mujhe naa girne se naa bacha paane ka doshi tu aaj bhi khudko hi maanta hai....

par aaj tu us soch ko hamesha ke liye badal sakta hai......

AKSHAANT- matlab??kaise aur ye sab kya hai????

MOKALSAR- hamare parakram ko dekhte hue is mayavi uniya ne hume puraskrit karne ka nirnay liya hai....

neeche jo darwaza dikh raha hai naa,usme hum dono ko ek saath chalang lagana hoga...aisa karte hi hamari bachpan ki wo dukhad ghatna wapas badal jaayegi....

aur tu mujhe naa bacha paane ke dosh se khudko hamesha ke liye mukt ho jaayega....

AKSHAANT- sach!!!!aisa ho sakta hai????

MOKALSAR- bilkul ho sakta hai..bas tu kuch der ke liye yahan ki CHUNOUTI ko bhool jaa...

tu bas wahan se mere upar chalang laga de....

hum dono ek saath hamare neeche bane darwaze kood jaayenge...

aur jaise hi hum darwaze ke us paar pahunchenge,samay chakra badal jaayega aur hamari wo buri yaad bhi mit jaayegi....

MOKALSAR ki baat sunkar AKSHAANT khush ho gaya.....usne man hi man MOKSALSAR ke kahe anusar karne ka nirnay le liya..

apna pura balance tehni par dekar AKSHAANT ne MOKALSAR ke upar chalang lagane ki position le li....

chalaang lagane se pehle AKSHAANT ne apne body ko halka pull kiya hi tha ki tabhi.......

MOKALSARS ROOM:-

DAR MAT BHAI....TUJHE KUCH NAHI HOGA........

MOKALSAR piche palta hi tha ki tabhi uske kaano me ye awaaz gunji jisse sunkar wo chownk gaya...

MOKALSAR ke chownkne ki wajah sirf wo awaaz nahi thi balki abhi ka drishya bhi tha....

darasal MOKALSAR jo ek second pehle apne pairon par khada tha,ab wo ek ped ki tehni se latka hua tha.....

aur ye tehni wahi thi jispar wo kuch der pehle drishya me latka tha....

aur toh aur jo awaaz aayi thi wo uske upar se nahi balki neeche se aayi thi jisse sun jaise hi MOKALSAR ne neeche dekha,toh chownk gaya....

reason.....AKSHAANT jisse upar hona chahiye tha wo neeche ki ek tehni jo pehle nahi thi,uspar latka hua tha aur uske neeche ek darwaza bana hua tha jiske dusri taraf is maayavi duniya ka exit tha....

MOKALSAR is nayi maaya ko samajhne ki koshish kar hi raha tha ki.....

AKSHAANT- zyada soch mat mere bhai...yahi hum dono ki chunouti hai.....

bachpan ke is kadwi yaad ko hum dono ko ek baar firse jeena hoga......

par agar hum dono hamare neeche jo darwaza hai,usse ek saath paar karne me kaamiyab hue toh naa sirf is chunouti ko paar kar lenge balki bachpan ki us kadwi ghatna ko bhi badal paayenge......

MOKALSAR- ye kaise chunouti hai???

AKSHAANT-jitna asaan lag raha hai utna hai nahi...tune meri baat dhyan se nahi suni hai...hum dono ko ek saath ek hi samay par us darwaze ke paar jaana hoga..naa ek pal pehle aur na ek pal baadme...

aur hamare paas zyada waqt bhi nahi hai....agar hum jaldi se nahi kude toh darwaza band ho jaayega aur hum ye chunouti haar jaayenge....

teri hadbadi ki wajah se pichli chunouti hum haar hi gaye the aur is baar agar tune vilamb kiya toh hum nischit hi haar jaayenge....

AKSHAANT ki baat sun MOKALSAR ko apne pichle chunouti ke douran kiya gaya galti yaad aa gaya..

usse laga ki AKSHAANT thik bol raha hai aur isiliye usne neeche koodne ka nirnay kar liya....

MOKSALSAR- taiyar reh..mai kood raha hun.....

AKSHAANT- tu chinta mat kar..aur CHUNOUTI ko bhi bhul jaa taaki tera dimag khul sake aur kood jaa....

ek lambi saans kheench MOKALSAR ne apne haath ki giraft tehni se kamzor ki hi thi ki tabhi.......

SHAILA'S ROOM:-

GUDIYA.............

SHAILA jo palti hi thi,wo ye awaaz sunkar chownk gayi aur jaise hi wo palti,toh nuske aashcharya ka thikana naa raha....

is waqt uske pitah uske saamne muskurate hue khade usse dekh rahe the...

SHAILA jhat se aage badhi taaki apne pitah ko gale laga sake par uske saath bhi wahi hua jo RONIT ke saath hua tha....uske haath uske pitah ke aar paar ho gaye jisse wo nirash ho gayi.......

S/DAD- nirash mat ho gudiya....tu abhi mujhe nahi chhu paa rahi hai,par agar tu chaahe toh aage chalkar zaroor chhu paayegi.....

SHAILA- mai samjhi nahi baba....

S/DAD-matlab mai puran jeevit ho sakta hun par tabhi jab tu chaahe....!!!!

apne pitha ki baat sunkar SHAILA shocked bhi hui aur khush bhi...

SHAILA-kya aap sach keh rahe hain pitaji??????agar ye sambhav hai toh mai kuch bhi kar jaaungi aapko punah jeevit karne ke liye.....

SHAILA ki baat sunkar uske pitah muskura diye.....

S/DAD-iske liye tujhe koi bada kaam karne ki zaroorat nahi hai...bas tu is CHUNOUTI ko bhul jaa.....

SHAILA- matlab????

S/DAD- wo dekh...

ye kehkar SHAILA ke dad ne ek taraf point kiya aur jaise hi SHAILA ki nazar us taraf gayi toh wo shocked ho gayi...

uske dad ke point kiye hue jagah par ek darwaza bana hua tha jiske dusri taraf is mayavi jagah ka exit tha....

SHAILA- wo darwaza!!!!

S/DAD-mujhe wapas zinda karne ki chaabi hai....

SHAILA ki baat ko uske dad ne pura kiya par SHAILA ko ab bhi kuch samajh nahi aa raha tha aur isiliye.......

S/DAD-tujhe us darwaze se hokar dusri taraf jaana hoga...aisa karte hi ye mayavi jagah tujhe khush ho jaayegi aur badle me meri aatma tujhe soump degi jisse mai fir se jeevit ho sakunga....

SHAILA ki baat sunkar SHAILA ki khushi ka thikana naa raha....

SHAILA-kya aisa sach me ho sakta hai pitaji????

S/DAD-bilkul ho sakta hai...ab vilamb mat kar aur chal....

ye keh SHAILA ke pitaji aage aage chalne lage aur unke piche piche SHAILA chal padi....

SHAILA chalte hue darwaze ke nazdeek pahunch chuki thi aur usne usse paar karne ke liye apna ek pair bhi aage badha diya tha par tabhi............

DHANUR'S ROOM:-

INME SE KISI KO BHI MERI AWAAZ SUNAYI NAHI DE RAHI HAI.......

jo scenes mere chaaron doston ke room me chal rahe the,wo DHANUR dekh rahe the aur lagatar kuch na kuch bole bhi jaa rahe the par unki awaaz un chaaron ko sunayi nahi de rahi thi jisse DHANUR samajh gaye the ki is mayavi jagah ne unki awaaz ko block kar diya hai....

wo chup chaap drishya dekhne ke alawa aur kuch nahi sakte the......

ALL FOUR ROOMS:-

CHUNOUTI KO BHOOL JAA................

RONIT aur SHAILA jinhone apne apne kadam hawa me utha liye the darwaze ko cross karne ke liye....

AKSHAANT jisne apne aap ko pull kiya hua tha jhatke se chalaang lagane ke liye aur MOKALSAR jisne apne haath dheele chhodne shuru kar diye the AKHSAANT ke upar girne ke liye........

thik ussi waqt mere chaaron doston ke dimag me ye shabdon ki maala jo unke partners ne kahi thi,strike hui aur agle hi pal......

RONIT aur SHAILA ne apna pair wapas kheench liya..AKHSAANT wapas tehni me normal hokar baith gaya aur MOKAALSAR ne firse tehni ko mazbooti se pakad liya....

un chaaron ke aisa karte hi unke saamne waale kuch kehne ke liye apna mooh kholne hi waale the ki.....

CHAARON DOST-ye bas ek bhram hai aur kuch nahi.....hum apni CHUNOUTI chhodkar nahi jaayenge...

ANTIM CHUNOUTI PURN HUI.........

jaise hi mere doston ke mooh se ye baat ye fir ye kahun ki unke faisle nikle,tabhi ye awaaz unke kaano me gunj uthi aur dekhte hi dekhte unke saamne moujud maaya gaayab hone lagi aur kuch hi palon me wo pura illusion khatm ho gaya aur aisa hote hi.......

mere dost wapas ussi MAGICAL DIMENSION me aa gaye jahan se unhone apne chunoutiyon ki shuruat ki thi.....

DHANUR bhi wahin khade the.....

ek dusre ko apne samaksh dekh mere dost khush ho gaye aur chaaron ne ek group hug kiya.....

DHANUR-bohot khub bacchon,bohot khub.....tum sabne jis dhairya se is antim chunouti ko paar kiya hai wo nissandeha,taarif ke kaabil hai......

dushman se ladhna toh asaan hota hai kintu jab mukabla apno se ho toh kaarya asambhav jaisa kathin ho jaata hai....

par tum sab ne jis tarah se is bhram ko samjha aur usse kaata,usse tumne saabit kar diya hai ki tum sab apaar shaktiyon ko paane ke kaabil ho.......

DHANUR ki baat sunkar mere chaaron doston ne unke saamne apne haath jode aur....

RONIT-aapke bina sujhav aur sahayata ke hum in chunoutiyon ko kabhi paa nahi kar paate....

RONIT ki baat ka baaki teeno ne bhi samarthan kiya.....

wahin DHANUR bas muskura diye par tabhi....

SHAILA- arre ye kya ho raha hai????

RONIT- haan yaar..kahin koi naya panga toh nahi hone wala????arre ye prakash kaisa????

toh hua ye ki achanak wo jagah jahan mere dost aur DHANUR khade the,wo hilne lagi thi...

kuch der tak hilne ke baad us jagah par ek tez prakash fail gaya jisse mere doston ki aankhen band ho gayi...

kuch der tak aisa hi raha par fir dheere dheere roshni kam hone lagi...roshni ke kam hone ke baad jaise hi mere doston ne apni aankhen kholi toh shocked reh gaye.....

reason.....is waqt wo wahin khade the jahan se unhone shuruat ki thi matlab taalab ke saamne......

RONIT-oye teri......

ye shock abhi khatm hi nahi hua tha ki mere doston ko dusra shock laga.....

reason...mere doston ke dusri taraf is waqt MIRRORS WORD ke teeno MIRRORS hawa me khade hue the.....

un mirrors ko apne saamne dekh mere dost hadbada gaye the aur isse pehle ki wo kuch kehte....

MIRRORS-tum sab ne apni sabhi chunoutiyan safalta purvak puri ki.....isiliye.......

MIRRORS ne aage kuch nahi kaha......balki agle hi pal,unke andar se teen beams ek saath nikli aur theek mere doston ke seene ke beech padi....

aisa hote hi mere doston ke sharir hawa me uthne lage par tabhi......

chaar aur beams nikli par ye beams MIRRORS se nahi balki talaab se nikli thi...

wo beams bhi mere doston ke peeth par padi aur aisa hote hi mere doston ke sharir wapas zamin par aane lage.....

is douran mere doston ki aakhen band ho gayi thi.....

kuch der tak aisa hota raha uske baad talab ki aur mirrors ki beam ek saath gayab ho gayi.....

beams ki wajah se bohot tez roshni ho gayi thi isiliye mere dost dikh nahi rahe the par beams ke gayab hote hi wo dikhne lage aur jab DHANUR ki nazar mere doston par gayi toh unke chehre par muskaan aa gayi....

reason.....mere doston ki aakhen toh is waqt band thi par unke sharir bohot tez chamak rahe the....

ye chamak us urja se aa rahi thi jo ab mere doston ke andar thi.....

mere doston ke chehre ki chamak bhi ab pehle se 1000 guna tak badh gayi thi....kuch der tak yunhi aankh band rakhne ke baad mere doston ki aakhen khul gayi...
apne sharir ke tej aur apne andar ki urja ko mere dost mehsoos kar paa rahe the....

unhe aisa lag raha tha jaise ek bohot badi shakti ka shroth unke andar beh raha hai aur agar wo ishara bas karen toh wo shakti pure bramhaand ko hila sakti hai....

apne andar aur sharir me aaye is badlaav se wo khush bhi the aur hairan bhi.....

kuch der tak khudme hi khoye rehne ke baad un sab ki nazar pehle unke saamne khade DHANUR par gayi aur fir MIRRORS par....

apni shaktiyon ke baare me janane ke liye wo MIRRORS se iske baare me puchne hi waale the ki........

ARRE YE KYA HO RAHA HAI?????

ye baat meer chaaron doston ke mooh se ek saath nikli thi....

reason????kuch hi der me pata chal jaayega......

BACK TO HERO:-

KYA HUA????AAP AUR PRAYAS KYUN NAHI KAR RAHE MUJHE MAARNE KI????

do prayason ke baad mai AGRASENA ke saamne aaram se khada ho gaya..maine unpar aur koi waar nahi kiya jisse dekh AGRASENA ne mujhse ye swal pucha tha....

MAI- aap bhi toh naa mujhse bachne ka prayas kar rahe hain aur naahi saamne se aakraman.....?????!!!!!

AGRASENA-aakraman mai isiliye nahi kar raha kyunki mai is laayak nahi...aur khud ka bachav mai isiliye nahi kar raha kyunki mujhe iski zaroorat hi nahi....

is talwar se mai mar nahi sakta......

MAI-sirf tab tak jab tak mai aap par issi talwar se agla waar nahi karta..mere agle waar se aap bach nahi paayenge.....

meri baat sunkar AGRASENA ke chehre par muskaan aa gayi....

AGRASENA- aur kya mai jaan sakta hun ki aisa kyun????

MAI- thoda rukiye..pata chal jaayega...

ye bol maine apni aakhen ek baar firse band kar li....AGRASENA ne bhi iske baad mujhse kuch nahi pucha...

meri aankhen kuch der tak band rahi par tabhi........

mere chehre par ek muskaan naach gayi aur uske agle hi pal meri aankhen khul gayi.....

maine ek baar AGRASENA ko dekha aur.....

maine SWORD ko ek disha me fek diya....SWORD tezi se ek disha ki taraf badh gayi.....aage badhte hue kuch hi palon me meri SWORD apne manzil ki taraf pahunch gayi aur agle hi pal.......

apni manzil par pahunch SWORD ek tez roshni ke gole me convert ho gayi aur us roshni ke gole se 4 tez kirane nikli aur aage badh gayi aur sidhe jaakar apne apne targets se takrayi.....

ye targets aur koi nahi THE THREE MIRRORS aur TAALAB the.......

aur yahi wo reason tha doston jiski wajah se mere dost shocked hue the....MIRRORS aur TAALAB par jaise hi mere SWORD ki rays touch hui,MIRRORS ke aakar change hone lage aur saath hi TAALAB ki bhi.....

jahan ek taraf MIRRORS urja me badal gaye wahin TAALAB dhuen me badalne laga aur dekhte hi dekhte wo dhuan MIRRORS ki urja ko khudme lapetne laga.....

jaise hi us dhuen ne urja ko lapeta,urja ko samete wo dhuan sidhe mere SWORD se bani roshni me sama gaya aur aisa hote hi wo roshni wapas meri SWORD me badal gayi wapas meri taraf tezi se aane lagi.....

jab ye sab ho raha tha,toh MIRROR aur TAALAB ki jagah par itni roshni ho gayi thi ki mere dost aur DHANUR ko apni aakhen band karni padi thi aur jab ye roshni ghati aur sabhi ne apni aakhen kholi toh shocked reh gaye....

reason......taalab bhi gaayab ho chuka tha aur MIRRORS bhi.....

kisi ko kuch bhi samajh me nahi aaya ki aakhir hua toh hua kya????

wahin dusri taraf SWORD tezi se meri taraf aa rahi thi....

MAI- taiyar hain......

par meri baat AGRASENA ko samajh me nahi aayi par isse pehle ki wo kuch kehte........

KHACH...........................

meri SWORD mere haath me wapas aa chuki thi aur isiliye mera haath ek baar fir ghuma aur agle hi pal AGRASENA ka sir unke dhad se alag hokar gir chuka tha.....

par sir ke katne ke agle pal hi wo sir wapas uske dhad se judne ko hua par isse pehle ki aisa ho paata....

maine apni SWORD aage kar di aur.....

ZUGANATI SHAKTIYEM........

EJECT POWER.......

mere SPELL bolte hi meri SWORD ki nok tez chamakne lagi aur agle hi pal.....

ussi nok se do alag alag cheezen nikli...

pehli,dhuan joki asal me wahi maayavi TAALAB tha aur

dusri,white ray joki asal me THE THREE MIRRORS the....

dhuan jaakar AGRASENA ke dhad se lipat gaya aur ray sidhe jaakar AGRASENA ke sir se jaakar takraya aur aisa hote hi.......

BOOM

AGRASENA ka dhad aur sir vibrate hone lage aur dekhte hi dekhte dono blast ho gaye par is baar blast hone ke baad kli parivartan nahi aaya tha jiska matlab AGRASENA ki shart puri hui......

toh asal baat ye thi doston ki aapko yaad hoga ki MIRRORS WORLD AGRASENA ne SWORD ki shakti se hi banaya tha.....

par jab MIRRORS WORLD ki sthapana ki gayi thi tab AGRASENA ne SWORD ko khudse nahi joda tha......

isiliye THE THREE MIRRORS aur TALAAB bhi AGRASENA se nahi jude the par wo SWORD ka hi ek hissa the....

aur jaise hi maine pehli baar SWORD ka sparsh kiya tha,toh mujhe uske baaki ke bhaagon joki TAALAB aur MIRRORS the,unke baare me pata chal gaya tha.....

aur sath hi ye bhi pata chal gaya tha ki wo bhaag AGRASENA se nahi jude hain....kuch dr pehle jab maine apni aakhen band ki thi toh wo isiliye ki thi ki mai dekhna chah raha tha ki mere doston ki chunouti kahan tak pahunchi thi...

kyunki bina mere doston ki chunouti pure kiye mai taalab aur mirrors ko talwar se nahi jod sakta tha..

aur jaise hi mere doston ki chunoutiyan khatm huin aur unhe shaktiyan mili,maine TAALAB aur MIIRORS ka roop badal unki shaktiyon ko wapas SWORD se mila diya....

aur jaise hi maine SWORD se AGRASENA ka sir kaata,maine TAALAB aur MIRRORS ki shaktiyon ko unke dono bhaagon par chhod diya jisse unke sir aur sharir ka samooh naash ho gaya.....

jaise hi AGRASENA ka sharir khatm hua,mere saamne ek tez roshni hui aur ussi roshni ke beech ek ANGEL prakat hue.....

MAI-apne purane aur asli roop me swagat hai ANGEL AGRASENA......

ji haan doston ye ANGEL aur koi nahi AGRASENA hi the jo ki is waqt ek ANGEL ke spirit form me the.....

AGRASENA ne mere aage haath jode aur....

AGRASENA-mujhe meri pehchaan wapas dilane ke liye shukriya LORD.....jo sharir mujhe mila tha,wo bas aapki amanat aap tak pahunchane ke liye hi tha....

mere sharir ko khatm kar aapne mujhe mere kartavya se bhi azaad kiya hai....ab mai wapas GOD ke paas jaa sakta hun......

MAI-aapki lagan sarahaniya hai AGRASENA....aapki nishta atulniya hai....

meri baat sun AGRASENA ne apna sir jhuka liya....

MAI-aap jaa sakte hain....

mere kehte hi ek baar AGRASENA mere aage firse jhuke aur agle hi pal wo gayab ho chuke the....par tabhi.....

mere saamne ek tez roshni hui aur jab wo roshni hati toh mere saamne AVANATIKA khadi thi....

mujhe dekh wo doudte hue mere paas aayi aur mere gale lag gayi.....

MAI- asli prize toh ab mila......

meri baat sun AVANTIKA muskurate hue mujhse alag hui.....

AVANTIKA- chalen....

MAI-ek aakhri kaam bacha hai..wo karlen,fir chalte hain.........

AVANTIKA aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi...maine kuch kaha nahi bas AVANTIKA se thoda door hat gaya aur aglehi pal........

MAI-baahar aao........

Maine apne seene par haath rakh kaha aur mere aisa bolte hi.....

Mere seene ke beech ek tez roshni hui aur tabhi....

Meri BOOK mere andar se baahar aa gayi...baahar aakar book mere saamne rook gayi aur agle hi pal usne khudko khol diya....

Book ke khulte hi meri SPEAR usse nikalkar baahar aa gayi jisse maine pakad liya....

Par mere haathon me aate hi SPEAR firse waise hi vibrate hone lagi jaise us din hui thi jab uspar uski shakti ka aadha hissa matlab diamonds lage the....(update 79)

aisi hi kuch vibrations mere dusre jaath me pakde SWORD se bhi ho rahe the jaisa ki maine kuch der pehle bataya tha....

Par mai jaanta tha ki aisa kyun ho raha hai...SPEAR ke vibrate honi ki wajah thi uski excess power instability..

diamonds ke spear se alag hone se pehle jo unme sjakiyan thi wo alag hone ke baad saare sorcerers ki shaktiyon ko sokh sokh kar aur badh gayi thi aur jab wo diamonds numa shaktiyan wapas SPEAR se jude toh unki shaktiyan pehle se kahin zyada thi jiski wajah se SPEAR unstable ho gayi thi....

Wahin dusri taraf SWORD ke vibrate hone ki wajah less power consumption tha.....

Jaisa ki maine bataya tha ki sword ki shakti ka bhaag MIRRORS aur TAALAB me tha par unke alag hone ki wajah se wo power bat gaua tha aur ab jab wo dono powers puri tarah khatm ho chuki hain toh unhi powers ke abhav ki wajah se SWORD vibrate ho rahi thi.....

Par mujhe in dono ki stability ka ilaj maalum tha aur isiliye......

SHAKTI KZATAM....

JOIN POWER.....

Maine SWORD aur SPEAR dono ko hawa me ucchal diya aur is SPELL ko uccharit kiya aur agle hi pal....

SPEAR aur SWORD ek duare se takra gaye aur aisa hote hi har taraf tez roshni faile gayi aur jab roshni ghati toh SPEAR gayab ho chuki thi ya fir ye kahun ki usne apna roop badal liya tha....

SPEAR ke gayan hote hi SWORD nere haath me aa gayi...ab SWORD bilkul vibrate nahi kar rahi thi....

Maine sword ko dekha jiske beecho beech mere SPEAR ka noshan tez chamak raha tha jiska matlab tha ki SPEAR ne khudko aur khudki shaktiyon ko SWORD ko soump diya tha..

Maine SWORD ko aage kiyq..mere aisa karte hi SWORD meri book me chali gayi aur agle hi pal meri book wapas mere andar jaa chuki thi....

Apna kaam khatm kar jab mai.palta toh AVANTIKA ko mujhe muskurakar dekhte paaya.....

MAI- koi sawaal hai????

AVANTIKA ne waise hi muskurate hue naa me apna sir hila diya....uske aisa karne par mai muskurays..aage badh yska maatha chum....

MAI-ab chalen!!!!

Ais baar bhi AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas haan me apna sir hila diya...

maine AVANTIKA ka haath thaama aur agle hi pal hum dono gayab ho chuke the....

AVANTIKA- arre hum yahan kaise????aur ye toh!!!!!

MAI-wahi do talwar hai jo us waqt bhi tangi hui thi jab hum chakravyuh me ghusne waale the...

AVANTIKA ki baat maine puri ki....darasal gayab hokar mai AVANTIKA ko lekar ussi diwal ke saamne pahuncha jiske aage ke darwaze se hokar hum dono ASMODEUS ke chakravyuh me ghusse the...

AVANTIKA- yahan toh abhi bhi do do SWORD hain par asli SWORD toh tumhe mil gayi naa.fir bhi kaise???

MAI- wo isiliye kyunki jo 2 SWORDS tangi hain,wo dono hi nakli hain....

AVANTIKA- what???

MAI- hmmmm..isiliye maine kaha tha ki koi bhi darwaza chun lo....

AVANTIKA-ohh......

MAI- maine socha jab yahan ke sabhi sawalon ke jawab mil chuke hain,toh is maaya ke baare me bhi pata hona chahiye isiliye tumhe pehle yahan lekar aaya...

AVANTIKA meri baat sunkar muskura di....mai ek baar firse AVANTIKA ko lekar gaayab ho gaya.....

BACK TO FRIENDS:-

RONIT-yaar ye MIRRORS aur TALAAB kahan gaye????

SHAILA-shayad unke kaam khatm ho gaye the isiliye gaayab ho gaye.....

AKSHAANT- haan aisa ho sakta hai....!!!!

YA FIR NAHI BHI HO SAKTA HAI....

ye awaaz mere doson ke piche se aayi thi..awaaz sun jab sab palte toh saamne waalon ko dekh khush ho gaye....

RONIT-V.J,AVNI,humne kar dikhaya....

ye bol RONIT aur baaki ke teeno aage badhe aur mujhe aur AVANTIKA ke saath milkar sabhi ne ek group hug kiya.....

sabhi ke body bohot glow kar rahe the jisse dekhkar.....

AVANTIKA- ye tum chaaron ki body itni chamak kyun rahi hai????

AKSHAANT-shaayad shakti aur urja ki wajah se..par aisa toh hum sabhi ke saamne nahi jaa sakte naa....

RONIT- bhai,mujhe toh kuch zyada hi urja aur shakti mehsoos ho rahi hai...mai control nahi kar paa raha hun....

maine kuch nahi kaha aur baari baari sabke sir par haath rakha.....

mere aisa karte hi sabhi ke body ki chamak aur unke andar ki urja ka prabhav kam ho gaya...

dekhte hi dekhte chaaron pehle ki tarah normal dikhne lage...

MAI- shakti,urja toh tum sab ko mil gayi par usse control karne ka hunar sikhna abhi baaki hai....thoda waqt lagega,tab tak apne dimag ko sayaamiit aur control me rakho..

jitna zyada excited aur uttejit hoge,utna zyada tumhari urja aur shakti tumpar haawi hogi....

meri baat sun sabhi ne haan me apna sir hilaya....

MAI-DHANUR,aapne mere doston ka jo maargdarshan kiya,uski liye mai dil se aapko dhanyawaad kehta hun.....

DHANUR-aisa bolkar mujhe paap ka bhaagidaar mat banaiye LORD...kisi bhi tarah aapke kaam aana,ye mere liye soubhagya ki baat hai....

aur waise bhi mai aapke mitron ke yudh koushal se bohot prabhavit hua hun aur isiliye mai in sab ko kuch dena chahta hun..agar aapki ijazat ho toh....!!!!

maine haan me apne sir ko halki si jumbish di.....

DHANUR ne apna haath aage kiya aur agle hi pal unke haathon me ek dhanush aa gaya.....

us dhanush ko unhone RONIT ki taraf badaha diya jisse RONIT ne khushi khushi le liya...

issi tarah DHANUR ne aur teen dhanush prakat kiye aur mere baaki ke teen doston ko de diye....

DHANUR- ye koi aam dhanush nahi hai....isse chalane ke liye teer ki zaroorat nahi padti...

bas pratyancha chadhao aur chhod do....teer apne aap prakat hokar apne manzil ki taraf badh jaayega....

is dhansuh se nikla hua har teer kaali aur safed shakti ke har astra ko kaat sakta hai....aur isse saath lekar chalne ki awashyakta bhi nahi hai....

jab bhi isse smaran karoge ye prakat ho jaayegi aur istemaal ke baad gayab......

DHANUR ki baat sun mere dost behad khush ho gaye...

unhone apne apne dhanush ko dekh man me gaayab hone ko kaha aur agle hi pal dhanush gayab ho chuki thi.....

DHANUR-LORD,mera yahan ka kaarya samapt hua....aage ke liye ab aap hi mera mera maargdarshan karen...

maine kuch kaha nahi bas apna haath aage kar diya.....mere haath se ek tez roshni nikli aur DHANUR me sama gayi.....

ab DHANUR ko bhi apne andar bohot shaktoyon ka aabhas ho raha tha...

MAI-ye shaktiyan aapka inaam bhi hain aur aapka hak bhi...is bramhaand me jitne bhi WHITE ENERGY waale grah hain,wahan ke har jaadugar,har yodha ko aur nikharne ki zimmedari aapki hai...

saath hi un grahon par WHITE ENERGY ka hi waas rahe,iska bhi aap hi dhyan rakhenge...

aur mai jaanta hun ki aap ye kartavya bakhubi nibha sakte hain....aap issi shan se apni yatra aarambh karen....

meri baat sun DHANUR apne pehle apne ghutno par aaye aur fir agle hi pal gayab ho gaye.....

RONIT- toh ab!!!!!

MAI- ab kuch din tak tum sab apni apni shaktiyon ko control karna,sayammit karna sikhoge.....aur uske baad......

SHAILA- uske baad?????

MAI-SHADOW WORLD........

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V...J......
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM AND FRIENDS KA MIRRORS WORLD ADVENTURE SAFALTA PURV KHATM HOTA HAI
AG AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-109

PLANET-EARTH

PLACE-MINAKSHI MANSION

KYA BAAT HAI???AAJ BOHOT DINO BAAD APNI MAA KI YAAD AAYI.......

par maine MOM ki baat sun kar bhi kuch nahi kaha bas unki godh me sir rakh leta raha....

subah ka waqt hai....MIRRORS WORLD ke adventure ko pura kar hum sab kal raat hi wapas loute the....

SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT ko maine sidhe VRIHAKH bhej diya tha...

wahin RONIT aur AVANTIKA ko maine aaj subah mere ghar me milne ka bol unke unke room me teleport kar diya tha....

subah normal time par dhyan me kuch der baithne ke baad mai jab niche aaya toh mom ko sofe pe baith newspaper padhte dekha....

mom ko saamne dekh dil kiya ki unki godh me letun toh mai leth gaya.....

aaj najaane kitne dino ke baad mai apni mom ki godh me yun sir rakh kar leta tha....mai is waqt ko pure dil se mehsoos karna chahta tha....isiliye mom ki baat ka maine koi jawab nahi diya....

par meri chuppi se mom ko laga jaise mujhe koi tention hai aur is soch ke ubharte hi wo ghabra gayi....

MOM-kya hua baccha...koi tention hai kya???

MOM ne mere maathe par haath ferte hue apni baat kahi.....

MOM ki awaaz me ek fikr thi jisse mehsoos karte hi meri aankhen khul gayi....

maine mom ke chehre ko dekha..is waqt unke maathe par chinta ki rekhayen ubhri hui thi...

mai jaanta tha ki is chinta ki asli wajah sirf meri chuppi nahi hai....iski fikr ki asli wajah mera kuch mahine pehle ghar chhodkar jaana tha....

jab se mai louta hun,mom ko hamesha andar hi andar ye dar satate rehta hai ki mai kahin waisa hi koi kadam fir se na utha lun.....aur isiliye......

MAI-koi tention nahi hai mom...bas aaj dil kiya aapke godh me sir rakhne ka toh rakh liya....

meri baat sun mom ke chehre par smile aa gayi aur wo mere baalon par apne haath ferne lagi jisse meri aakhen firse band ho gayi....

LORD OF ANGELS.....meri pehchaan....wo pehchaan jiske chaaw tale har koi surakshit mehsoos karta hai.....

mom ki godh me is waqt mujhe bhi wahi surakhsa wahi safety mehsoos ho rahi thi....

KYA BAAT HAI???AAJ MERE BACCHE NE MERI HI JAGAH LE LI......

awaaz sun maine muskurate hue apni aakhen khol di....ye awaaz mere dad ki thi jo apna gym finish kar hamare paas hi aa rahe the....

MOM- aapki jagah???ye jagah aapki sirf tab tak thi jab tak mera baccha paida nahi hua tha....samjhe....

DAD- arre aise kaise???registry hamari aur jagah hamare bete ki.....!!!!!

MAI-dad,mom ki godh aur aapka kandha,in dono par hi sirf mera hak hai....toh is par no behes.....

meri baat sun dad aur mom dono has diye....

MOM-yaad hai bachpan me VICKY ya toh aapke kandhe par chadha rehta tha ya fir meri godh me leta....

kisi kaam ki wajah se mai isse apni godh me naa uthaun ya fir aap isse apne kandhe par naa uthayen toh iska mooh ful jaata tha....

DAD- bilkul yaad hai..aur sach kahun toh jab tak ye mere kandhe par nahi chadhta tha,mujhe bhi sukun nahi milta tha...

din bhar mai site par kaam dekhta tha...ghar aate aate kaafi thakan mehsoos hone lagti thi par jab tak VICKY mere baalon ko kheenchte hue mere kandhe par nahi chadhta tha,mujhe sukoon nahi milta tha....

dad ki baat sun mom muskura di par tabhi...

DAD-beta,mom ki godh me toh tu let liya...ab ek baar apne baap ke kandhe par bhi chadh jaa....mai wahi purana sukoon ek baar firse mehsoos karna chahta hun....

dad ki baat sun mom zor se has padi...

MOM- kaisi behki behki baatein kar rahe hain aap...aapka beta ab koi chota bacha nahi raha..kadh me aapse bhi lamba ho gaya hai....

isse kandhe par uthayenge aap????

DAD-haan toh kya hua????jitna bada bhi ho jaaye,rahega toh mera beta hi....haan thoda zyada bhaari ho gaya hai,par mai manage kar lunga....

MOM- thoda bhaari...apna pura vazan agar isne aap ke upar daal diya naa toh aapke kamar ki halat kharab ho jaayegi...

DAD- aisa kuch nahi hoga..aaj beta,chadh jaa mer kandhe par..

ye bol dad sach me sofe ke neeche baith gaye taaki mai unke kandhe par baith sakun...

MOM- arre ye kya zidh lekar baith gaye aap...aap VICKY ko nahi utha paayenge ulta aapki kamar me moch aa jaayegi....

MAI- relax mom..kuch nahi hoga.......

ye bol mai uth kar baith gaya....isse pehle ki mom kuch kehti,maine apni baat kahi...aur turant mai dad ke peeth par dono pir aage rakh baith gaya aur agle hi pal......

mom ko ek jhatka laga..jhatka sirf mom ko hi nahi khud dad ko bhi laga tha

aur reason....mere peeth par baithathe hi dad ek jhatke me khade ho gaye...

mai peeth par baitha hun ye dhyan me rakhkar dad apne pairon par pressure dekar khade hue the taaki mera bhaar sambhal sake par jhatka unhe tab laga jab unhe mere bhaar bas halka sa hi feel hua tha...

wo bade araam se mujhe apne peeth par bithaye khade ho gaye aur unhe aisa karta dekh mom bhi surprised ho gayi....

MOM-ye aapne kaise kiya???aap itni asaani se VICKY ko liye kaise khade ho gaye???

DAD- mujhe toh VICKY ka bhaar hi thik se pata nahi chal raha...aisa lag raha hai jaise maine apne ussi bachpan waale bacche ko uthaya hai...

MAI- aapke liye toh mai aapka bacha hi hun naa dad..ab ye sab chhodiye aur mujhe baahar lawn me waise hi ghumayiye jaise bachpan me ghumaya karte the....

MOM- arre beta kandhe par uthana alag baat hai aur
uthakar ghumana alag....

DAD- arre kuch nahi hota....maine kaha nahi ki mujhe VICKY ka wazan pata hi nahi chal raha hai....

ye bol DAD aage badh gaye....ghar ke saare servents including MARTHA aunty bhi dad ko mujhe yun lift karte dekh khush bhi the aur shocked bhi....

jahan ek taraf mujhe yun kandhe par uthakar dad bohot khush the wahin mom ghabrayi hui si dad ke piche ho li...

dad mujhe uthaye bahar lawn me pahunch gaye jahan par is waqt DADAJI baithe hue the...

wo bhi dad ke upar mujhe yun baithe dekh shocked ho gaye.....

DADAJI- arre ye kya ho raha hai....????

MOM- dekhiya naa papa,inhone zidh ki ki apne bete ko bachpan ki tarah ek baar firse apne kandhe par baithakar ghumayenge aur ye VICKY bhi bina kuch soche chadh gaya apne dad ke peeth par...

mai kabse in dono ko mana kar rahi hun par ye baap bete maan hi nahi rahe....

mom ko laga ki dadaji unki baat sun mujhe aur dad ko daatenge par.....

DADAJI-kuch nahi hota beta...apne bete ko apne kandhe par uthane ka maza tu nahi samjhegi.....

par maanana padega beta...tune VICKY ko aise hi apne kandhon par utha liya aur ab usse uthaye uthaye ghum bhi raha hai....

DADAJI ki baat par dad aur unke saath mai bhi muskura diya par hum dono ke muskurahat ki wajah alag alag thi....

jahan dad mujhe aaram se utha paane ki khushi me muskura rahe the wahin mai isiliye kyunki dad ke mujhe yun aaram se uthane ki wajah sirf mai jaanta tha...

mera wazan maine hi kam kiya tha taaki dad ko taklif naa ho.....

dad mujhe uthaye aage badhne hi waale the ki....

PAPA MAI BHI......MUJHE BHI GODI LO......

ye awaaz AASHI ki thi jo hamare piche se aayi thi....

wo daudti hui humare paas aa rahi thi...aur isse pehle ki mom kuch kehti,AASHI halki si uchli aur dad ne usse bhi apne dono haathon se pakadte hue godh me le liya...

waise toh AASHI ka wazan kuch zyada nahi tha par maine uska wazan bhi kuch kam kar diya tha....

jahan AASHI ko dad ke godh me dekh mom ne apna maatha peet liya wahin DADAJI has diye...

AASHI ko godh aur mujhe peeth par liye dad ne pool ka ek chakkar lagaya..ab mom bhi dad ke piche naa aakar DADAJI ke paas hi khadi ho gayi...

wo bhi haste hue dad ke ya fir ye kahun ki hum teeno ke bachpane ko dekh rahi thi....

pool ke do chakkar kaatne ke baad mai aur AASHI dad ke peeth aur godh se utar gaye......

iske baad kuch khaas nahi hua...mai AASHI ke saath khelne laga aur DAD mom aur DADAJI ke saath baahar lawn me hi baith gaye....

kuch der baad mai apne room fresh hone gaya aur bath lekar niche aaya..

Maine apna breakfast khatm hi kiya hi tha ki itne me RONIT pahunch gaya....

RONIT ke pahunchne ke 10 minute baad mujhe pata chal gaya ki AVANTIKA bhi 2 minute baad pahunchne waali hai isiliye mom ko batakar mai RONIT ko lekar baahar aa gaya....

hum dono gate se nikal ghar ke baahar khade hi hue the ki itne me AVANTIKA ki car humare saamne aakar rooki.....

AVANTIKA-tum dono baahar....!!!!

RONIT-bhool gayi kya ki aapke hone waale pati parmeshwar antaryaami hain....unhe pehle hi pata chal gaya tha ki unki dile gulzar pahunchne waali hai toh isne apne saath saath mujhe bhi chowkidaar ki duty dekar yahan khada kar diya....

MAI- shukr mana ki issi bahane tujhe job toh mili..warna din bhar toh tune vella hi ghumna hai.....

RONIT- haan,tu bada collector lag gaya kyun????

MAI- lag jaata par usse pehle hi tu mil gaya aur mera shani bhaari ho gaya....

AVANTIKA- tum dono thakte nahi ho kya din bhar ladte ladte...

MAI- ab aap apne hisse ka pyar hume deti nahi toh uska kuch toh side effect hoga naa...

meri baat sun jahan AVANTIKA sharma gayi wahin RONIT zor se has diya....

RONIT- bhai,tum dono ke romance karne ke liye puri zindagi padi hui hai...filhal mujhpar bhi dhyan do...

yaar V.J jab se ye shakiyan mujhe mili hain,mai inhe mehsoos karne ke liye tadap raha hun..

kal raat bohot baar try bhi kiya ki in shaktiyon ko ujagar kar inhe feel karun par kar nahi paaya...

MAI- jaanta hun..aur un teeno ne bhi kal yahi koshish ki hai aur isiliye hi maine teri aur un teeno ki shaktiyon ko bhi baandh diya tha..

mujhe pata tha ki tum sab
apna apna sadha hua dimag zaroor lagaoge.....jaanta hai agar kal maine tum chaaron ki shakti nahi baandhi hoti toh kya hota???

kyunki tujhe milne waali shakiyan abhi tere bas me nahi hain isiliye tere unhe yaad kar ujagar karte hi wo shaktiyan disbalance ho jati...

jisse tu unhe sambhal nahi paata aur is wajah se teri shaktiyan tujhe hi nuksaan pahuncha deti...

itna hi wo shaktiyan tere ghar ko bhi khandar me badal deti...

RONIT- oye teri ki....toh saale tune mujhe pehle kyun nahi bataya???agar galti se mujhse meri shaktiyan ujagar ho jaati toh???

AVANTIKA- duffer,V.J ne teri aur un teeno ki shaktiyan kisi rassi se nahi baandhi thi jinhe tu tod kar apni shaktiyon ko azaad kar deta...

usne tum chaaron ki shaktiyan apni shakti se baandhi thi jisse jab tak V.J naa chaahe ,koi tod nahi sakta....

RONIT- haan wo toh hai....par kya karun yaar,jab se ye nayi shaktiyan mili hai,inhe mehsoos karne ke liye mai tadap raha hun....

MAI- thoda sa rook jaa,teri ye tadap toh khatm ho hi jaayegi par saath hi ek nayi tadap bhi tujhe mil jaayegi...

RONIT- hain!!!iska kya matlab hua???

MAI- sab pata chal jaayega beta..pehle wahan chalte hain jahan tum chaaron ko apni shaktiyon par kaabu paana sikhna hai....

SHAILA,AKSHAANT aur MOKALSAR pehle hi wahan pahunch gaye hain.....

RONIT- kahan,MAGICAL DIMENSION me...

MAI- ye koi normal fighting practice nahi hai jo MAGICAL DIMENSION me ki jaaye...

tumhare andar ki shaktiyan aloukik hain..inhe kisi bhi magical jagah par control karna nahi sikha jaa sakta....

yahan tak ki kisi normal PLANET ne bhi aisa karna bohot khatarnaak hoga....kyunki jaise hi mai in shaktiyon ko bandhan mukt karunga,ye asantulit ho jaayegi..

ye shaktiyan naa sirf tum sab par haavi hongi balki aas paas ki sabhi jagahon par bhi inka asar hoga....

RONIT- phir hum kahan isse control karna sikhenge....????

MAI- sab batata hun.....pehle yahan se chalo......

ye bol mai AVANTIKA ki car me baith gaya..mere piche piche AVANTIKA aur RONIT bhi car me baith gaye aur hum sab paas ki hi mall ke taraf nikal pade...

mall ki parking me humne gaadi park ki aur agle hi pal hum teeno gaayab ho chuke the...

par hamare gaayab hone ke agle hi pal hum teeno ke CLONES wapas hamari car me prakat hue.....

aur mere CLONE ne car wapas baahar ki taraf nikal di.....

wahin gaayab ho hum ek nayi jagah pahunche jahan mere baaki ke teeno dost pehle se hi khade the....

maine hi un teeno ko unke grah se antardhyan kar yahan pahunchaya tha aur un teeno ke dimag se jud unhe hamara intazar karne ko kaha tha....

hume apne saamne dekh teeno ke chehre par muskaan aa gayi par un sab ke aakhon me bhi wahi sawal tha jo is waqt RONIT ki aakhon me tha....

sabhi mujhse is bare me puchne hi waale the ki...

MAI- toh doston,waqt aa gaya hai ki tum sab apni apni shaktiyon ko niyantrit karna sikho...

aur ek baat batadun ki is kaam me mai tum sab ki koi help koi sahayata nahi karne waala...

jis tarah tum sabne apne dum par MIRRORS WORLD ki chunoutiyon ko paar kiya aur in shaktiyon ke maalik bane,thik waise hi tum sab ko ab firse ek baar apne dum par apni shaktiyon par niyantran karna sikhna hoga....

waise is kaam me tumhari jaan ko koi khatra nahi hai kyuni niyantrit ya aniyantrit,shaktiyan toh tumhari hi hai..

haan,par jab tak tum apne andar ki shaktiyon ko control karna nahi sikhte,tab tak ye tumhe lagatar nuksaan pahunchayengi..

par is jagah ki shakti ki wajah se ye shaktiyan apni hadh paar nahi karengi.....

SHAILA- thik hai..hum khud apni shaktiyon ko koniyantrit karna sikhenge..par kamsekam itna toh batao ki aakhir ye jagah hai kaunsi aur is jagah ki aisi kya khasiyat hai jiski wajah se humari shaktiyan tak apni hadh nahi todengi....???

SHAILA ka sawal baaki teeno ka bhi tha...sabhi meri taraf sawal bhari nazaron se dekh rahe the...

MAI- is jagah ki khaasiyat tum sab khud dekh lo.....

ye bolo maine apna haath aage kiya..mere aisa karte hi mere haathon se chaar rays nikli aur mere doston ki taraf badh gayi....

aur jaise hi un rays ne mere doston ke bodies ko chua,mere doston ko ek tez jhatka laga aur agle hi pal....

mere doston ki shaktiyan azaad ho chuki thi....aur aisa hote hi mere doston ki bodies halki halki vibrate honi shuru ho gayi par isse pehle ki wo shaktiyan disbalance hokar mere doston par haawi hoti,maine apna haath firse aage kiya...

mere aisa karte hi mere doston ki shaktiyan bandhi toh nahi par ek jagah pahunch rook si gayi....

MAI- neeche dekho...

mere bolte hi jab mere doston ne neeche dekha toh sabhi shocked reh gaye....

reason.....mere doston ke ird gird zamin se ek white dhuan uth raha tha....

AKSHAANT- ye toh......

MAI- WHITE ENERGY hai.....ye puri jagah WHITE ENERGY se ghiri hui hai..tum sabke andar ki urja ke bandhan mukt hote hi yahan par base WHITE ENERGY ko iske baare me pata chal gaya..

inhe ye bhi pata chal gaya ki tumhare sharir ke andar basi WHITE ENERGY abhi stable niyantrit nahi hai....

agar maine tumhare andar chuppi urja ko ek jagah nahi roka hota toh wo tumhare sharir ke har hisse me fail jaati aur kyunki abhi tumne unpar puri tarike se kaabu nahi paaya hai isiliye wo tumhare sharir ko bohot nuksaan pahunchati....

par is jagah par moujud WHIETE ENERGY ki wajah se tumhara sharir us nuksaan ko jhel leta isiliye mai tum sab ko yahan lekar aaya taaki jab tum apne shaktiyon par niyantran karne ki koshish karo,toh us kriya ke hote waqt tumhe kam se kam nuksaan ho.....

mai tumhare urja ko firse behne ki ijazat dene waala hun...ek jagah baith apni aankhen band karo aur apni andruni urja ko mehsoos kar
usse apne chit se jodne ki koshish karo...

jaise hi tum sab apne sharir me behte urjo ko apne dimag se jod paane me kaamiyab ho jaaoge,tum sabka apni shaktiyon par niyantran ho jaayega....

mai aur AVNI filhaal jaa rahe hain....hum dono tabhi loutenge jab tum sab apni shaktiyon par kaabu paa chuke hoge.....

RONIT- thik hai bhai..par kamsekam jaate jaate is jagah,is PLANET ka naam toh bata jaa.......

MAI- YELUPTUS......

PLANET-MONSLICKEL

PLACE-ASMODEUS PALACE

FATHER,VIKRAM NE MIRRORS WORLD KI CHUNOUTI PAAR KAR LI......

ASMODEUS-PUCH RAHE HO YA BATA RAHE HO.....?????

BEELZEBUB ki baat par jab ASMODEUS ne apni baat kahi toh BEELZEBUB hadbada gaya.....

usse samajh aa gaya ki aawesh me aakar aur adeertawash usne ASMODEUS jisse koi baat nahi chhupti,uske saame naasamjhon waali baat kar di hai....

par isme BEELZEBUB ka bhi koi dosh nahi tha.....VIKRAM ko lagatar har chunouti ko yun aasani se paar karta dekh wo vichlit sa ho gaya tha....

BEELZEBUB-FATHER,kya mai kuch puch sakta hun???

BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS muskura diya..wo jaanta tha ki BEELZEBUB kya puchna chahta hai fir bhi usne haan me apna sir hila BEELZEBUB ko sawal puchne ki anumati di....

BEELZEBUB-FATHER,aapke kahe anusar jab maine MIRRORS WORLD me maayajaal bichaya aur ek diwal banakar uske upar do do maayavi talwaare latkayi...

wo dono talwaaren sirf chhal aur VIKRAM ko chakrvyuh me fasane ke liye nahi thi,balki wo dono talwaren asal me drishti darpan the jinki madad se hum VIKRAM MIRRORS WORLD me jo bhi karta hai,usse dekh paate aur saath hi AGRASENA ke talwar ka rahasya bhi jaan paate....

par jaise hi VIKRAM asli talwar ke paas pahuncha toh humari maaya ne kaam karna kyun band kar diya....???

jabki hamari dono maayavi talwaren tab bhi MIRRORS WORLD me surakshit thi,fir bhi hamari maaya toot gayi......

Par jaise hi VIKRAM ne us talwar ko haasil kiya,toh hume wahan ka drishya firse dikhne laga....aisa kaise hua???

BEELZEBUB ki baat sun ek baar firse ASMODEUS ke chehre par muskaan aa gayi aur.....

ASMODEUS-jis SWORD me itni taakat ho ki wo ASMODEUS ke aage tak samarpan naa kare,kya wo tumhari bichayi maamuli si maaya ko tod nahi paayega???

BEELZEBUB-fir aapne mujhe waisi maaya rachne ke liye kaha hi kyun tha????

ASMODEUS-wajah wahi thi....us SWORD ka rahasya jaanana....aur kisne kaha ki maayavi talwaron ne apna kaam nahi kiya...

hume drishya dikhne band hone se pehle hi unhone apna kaam kar diya tha....

ASMOSEUS ki baat BEELZEBUB ko bilkul bhi samajh me nahi aayi....usne kuch kaha toh nahi bas aakhon me sawal liye apne FATHER ki taraf dekhne laga....

BEELZEBUB ko kuch bhi samajh me nahi aaya tha is baat se ASMODEUS bhi awgat tha aur isiliye......

ASMODEUS-VIKRAM ke chute hi SWORD ne tumhari maaya ko tod diya par ye kriya hone se pehle hi SWORD ne apni asliyat saamne laa di thi....

jin do maayavi SWORDS ko tum MIRRORS WORLD me chhod kar aaye the,un SWORDS ki maaya drishti sirf asli SWORD tak hi simit nahi thi balki uski drishti pure MIRRORS WORLD pe thi....

aur jaise hi VIKRAM ne hamare chakravyuh me kadam rakha,toh uske seene ke beech ek hulchal hone lagi.....

kyunki VIKRAM hamare maayajaal ke andar tha isiliye mujhe uske sharir me ho rahe har parivartan ka pata chal raha tha....

VIKRAM ke andar yun achanak hone waali hulchal ko mai samjhne ka prayas kar hi raha tha ki thik tabhi mujhe ussi waqt AGRASENA ki SWORD me bhi hulchal hote dikhe aur saath hi achanak uske andar chhupi shaktiyan ujagar hone lagi....

aur tab mujhe sab samajh me aa gaya....VIKRAM ke andar jo SPEAR hai,usne aur SWORD ne ek dusre ko mehsoos kar liya tha,jiski wajah se dono bekabu ho rahe the par VIKRAM ki shaktiyon ki wajah se wo ek dusre ke paas nahi pahunch paa rahe the...

aur jab VIKRAM hamari saare chakravyuh ko tod SWORD ke saamne pahuncha,toh SWORD aur SPEAR ki shakti ko maine mehsoos kiya tha aur tab mujhe samajh me aaya ki SPEAR aur SWORD ki shaktiyan ek jaisi hain jiska arth ye tha ki wo SWORD AGRASENA ki nahi balki VIKRAM ki milkiyat hai.....

isiliye maine kaha tha ki drishya dikhne band hone se pehle hi un maayavi talwaaron ne apna kaam kar diya tha....

ASMODEUS ki baat sun BEELZEBUB ne samajhne waale tarike se haan me apna sir hilaya....

BEELZEBUB-FATHER,ye saari chizen mai kyun nahi dekh paaya????

ASMODEUS-tum bhale hi mere putr ho BEELZEBUB par tumhare paas ASMODEUS ki nazar nahi hai....

tum wahi dekhte ho jo dikhta hai,par mai wo bhi dekhta hun jo chupa hua hota hai....

BEELEZBUB- aur VIKRAM ke dost...unka kya karna hai???

ASMODEUS- unka kya????

BEELZEBUB- FATHER,pehle wo sirf aam yodha the kintu ab unke andar aloukik shaktiyan hain....aisi shaktoyan jo sirf ek ANGEL ke andar hoti hai....

aisi aloukik shaktyon ke swami hone ka unhe koi HAK nahi....

BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS ke chehre par ek muskaan tair gayi.....

ASMODEUS- HAK!!!!!

mere ek sawal ka jawab do???is bramhaand ke aneko jeevan dayi grahon me kul kitne DHARM hain....????

ASMODEUS ki baat sun BEELZEBUB hadbada gaya...usse bilkul bhi ummid nahi thi ki ASMODEUS usse kuch aisa bhi puch sakta hai....

BEELZEBUB-FATHER,ye BRAMHAAND maanyataaon ki chaadar se khudko puri tarah dhake hue hai,ye aapne hi mujhe bataya tha....

fir mai kaise DHARMON ki ginti kar sakta hun????

ASMODEUS- fir bhi....andaza lagao....

BEELEZUB-FATHER,andaza lagana bhi toh asambhav hai....saikdon jeeven daayi grah jinme hazaron DHARMON ko maanane waale log baste hain...

ASMODEUS-hmm...aur in hazaron DHARMO me kaun sa DHARM sabse upar hai....????

ASMODEUS ke is sawal ka BEELZEBUB ke paas koi jawab nahi tha....wo sawal sunane ke baad bhi chup hi raha aur is baat ko ASMODEUS bhi bhali bhaati jaanta tha aur isiliye....

ASMODEUS-KARM...........is bramhaand ka sabse bada DHARM " KARM " hai......

KARM wo DHARM hai jisse puri lagan aur nishtha se karne waale vyakti ko ISHWAR ke aage bhi haath failana nahi padta...

kyunki KARM karne par nikalne waala PASINA kisi puja se kam nahi hota....aur BHAKTI ka PHAL mile naa mile kintu KARM ke PASINE ki puja ka PHAL milna anivarya hota hai.....

ek baat hamesha yaad rakha putr,ki agar kisi doud me hissa lo aur haar jaao,toh is baat ka aakalan mat karo ki jeetne waala tumse kitna tez tha apitu is baat ka aakalan karo ki tum jeetne waale se kitne dheeme the.....

BEELZEBUB-kintu baat toh ek hi hai naa FATHER!!!!

ASMODEUS-baat ek hi hai par maayne alag alag hain....

jis manzil ke path par tum agrasar ho,us manzil ko paane ke liye tumhare saath aur bhi pratispradhi ho sakte hain...

kintu jis vyakti ki drishti apne manzil ke saath saath apne pratispradhi ki raftaar aur hunar par bhi tiki ho,wo kabhi bhi jeet nahi paayega.

kintu jis vyakti ki drishti kewal apne manzil par tiki ho aur jo idhar udhar naa dekh kewal apne hunar ko nikharne aur khudki raftaar badhane me laga hua ho,wo apne aap hi apne saare pratispradhiyon se aage nikal sabse pehle manzil tak pahunchega....

apne manzil tak pahunchne ke liye jisme khud tak ko mita dene ka jasba ho,uske saamne manzil swayam natmastak ho jaati hai...

aur yahi jasba VIKRAM ke mitron ne dikhaya tha....unhone un aloukik shaktiyon ko prapt karne hetu apni saari shaktiyan jinke bina unke jeeven ka koi arth hi nahi hota,usse tak daav par lagaya tha.....

aise prayas ko uski manzil milni hi chahiye.....

tum keh rahe the naa ki aisi aloukik shaktiyon ke swami hone ka unhe koi hak nahi....

HAK maanga nahi jaata,haasil kya jaata hai.....

KARM hi sabse bada DHARM hai aur ek KARMATH vyakti har shaktishali chiz ka HAKDAAR hai......

bohot kam aise mouke aate the jab ASMODEUS paap aur punya se upar uthkar kuch kehta tha....

aur ye wahi mouka tha.....BEELZEBUB jaanta tha ki jo bhi ASMODEUS ne kaha tha wo naa punya ke hisse me aata tha aur naahi hi paap ke....

ASMODEUS ki kahi har baat katu satya thi aur ek DEVIL ka sabse bada shatru katu satya hi toh hota hai...

ek aisa shatru jo DEVIL ko andar tak hila deta hai...aur aisa hi kuch ehsaas is waqt BEELZEBUB ko apne andar mehsoos ho raha tha.....

wo is baat ko aur aage nahi badhana chahta tha isiliye......

BEELZEBUB-toh ab aage kya FATHER????

BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS ne ek baar uski taraf dekha aur.....

ASMODEUS- iska jawab toh VIKRAM pehle hi de chuka hai

..................SHADOW WORLD....................

AAJ KE LIYE ITNA HI......

AAPKA APNA V.J
 
AB TAK AAPNE PADHA KI RONIT,SHAILA,AKSHAANT AUR MOKALSAR APNE APNE SHAKTIYON KO NIYANTRIT KARNA SIKHNE KE LIYE YELUPTUS PAHUNCHTE HAIN
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA UPDATE-110

FINAL ADVENTURE

PART-1

PLANET-YELUPTUS

PLACE-STORMY DESERT

YAAR ,MERE ANDAR FIRSE VIBRATIONS SHURU HO GAYE HAIN.....

MERE BHI....

MERE BHI....

MERE BHI....

RONIT ke baad same baat baaki teeno ne bhi repeat ki....

mere AVANTIKA ko lekar gaayab hote hi mere chaaron doston ke andar ek jagah rooki hui un sab ki shaktiyan ek baar firse aage badh gayi...

dheere dheere wo shaktiyan mere doston ke pure sharir me failne lagi jis wajah se un sab ke body me pehle vibrations hone lagi aur fir dheere dheere un chaaron ka sharir bhaari hone laga.....

jiska matlab tha ki unka sharir unke shatkiyon ke wazan ko sambhal nahi paa rah hai.....

RONIT-ye dekho,is jagah ki WHITE ENERGY bhi baahar aane lagi hai....hume jaldi se dhyan mudra me baithna hoga aur jaisa V.J ne kaha hai,apni shaktiyon ko apne dimag se jodna hoga,warna hamari shaktiyan hamari hi band baja dengi....

RONIT ki baat par sabhi ne sehmati jatayi aur agle hi pal mere chaaron dost jahan khade the,wahin dhyan mudra me baith gaye....

sabne ek saath apni apni aakhen band kar li aur apni apni shaktiyon ko mehoos karne me lag gaye.....

waise toh dhyaan lagana mere chaaron doston ke liye hi koi badi baat nahi thi..chaaron dhyan lagane ki kala me nipun the par aaj baat kuch aur thi...

aaj unke andar aseemit asthir shatiyan thi jinme lagatar hulhul ho rahi thi....aur issi bhayanak hulchul ke beech un chaaron ko apne apne chit ko shaant kar apni unhi ashtir shaktiyon ko unke gantavya matlab apne mastishk tak pahunchana tha....

aur ye koi saral kaarya nahi tha..par jin chunoutiyon se hote hue mere dost aaj is mukaam par pahunche hain,uske baad kathin se kathin kaam karne me bhi unhe maza aane laga tha.....

chaaron apne chit ko ekaagra karne ki puri koshish karte hue apni apni shaktiyon ko mehsoos karne me lage hue the....

is waqt mere doston ko unke saare sharir me tez chamakti hui urja dikh rahi thi...wo ussi tez urja ke beech usme nahate hue aage badh rahe the..

unka kaam ye tha ki yunhi dhyan mudra me rehte hue wo sab us urja roopi raaste se guzarte hue apne mastishk apne dimag tak pahunche aur fir apne apne dimag ko us urja ropi shakti ka sparsh karaye..

unke aisa karte hi unka mastishk un saari shaktiyon ko sokh leta jisse unki shaktiyan unke control me aa jaati.....

par ye safar kaafi lamba tha....dhyan me baithe mere chaaron dost bohot tezi se apne andar ki urja ke raaste se hote hue aage badh rahe the par fir bhi is raaste ka unhe koi anth nahi dikh raha tha....

uske upar wo urja roopi raasta mere doston ki raftaar ko dheere karne me laga hua tha....mere doston ko aisa lag raha tha jaise wo urja unhe kheench kar rokne ka prayas kar rahi hai..

par fir bhi jaise taise mere dost aage badh rahe the.....

ye sab toh mere doston ke andar chal raha tha..chaliye dekhte hain ki bhaahar ka drishya kaisa hai???

arre ye kya??????is waqt mere doston ka sharir us jagah par nahi hai jahan dhyan me baithne par tha...infact,is waqt mere doston ka sharir zamin me hi nahi tha,balki upar hawa me utha hua tha aur dheere dheere aur upar uthata jaa raha tha.....

ye sab mere doston ke sharir me behti urja ki wajah se ho raha tha....mere doston ke dhyan me baitnhe ki wajah se ab wo shaktiyan wo urja mere doston ke andar bhaar paida nahi kar paa rahi thi isiliye ab un shaktiyon ne mere doston ke sharir ko hawa me utha diya tha......

wahin in saare parivartano se anjaan mere dost apne apne chith ki aur badhe jaa rahe the..par ab unki raftaar kaafi kam ho chuki thi....

unke andar ki shaktiyon ne unhe naa sirf mere doston ko slow kar diya tha,balki ab wo shaktiyan mere doston ko ek jagah par rukne par majboor kar rahi thi...

aur thodi der baad ye bhi ho gaya...kuch aur der tak sangharsh karne ke baad mere doston ki aantarik shakti ne jawab de diya aur natija,unki aantarik shakti ek jagah aakar rook gayi aur tabhi.......

AHHHH......

AHHHH......

AHHHH......

AHHHH......

ye chaar dard bhari karah mere chaaron doston ke mooh se nikli aur issi ke saath unki aankhen khul gayi......

par agle hi pal........

arre ye......

arre ye......

arre ye......

arre ye......

ye aadhi adhuri baat mere doston ke mooh se nikli aur reason......

jaisa ki maine bataya tha ki mere doston ka sharir hawa me utha hua tha aur har lamhe dheere dheere lagatar aur upar uthatha chala jaa raha tha,toh is waqt mere dost zameen se kaafi upar tak uth chuke the aur jaise hi un chaaron ka dhyan bhang hua aur un sab ki aankhen khuli,toh agle hi pal un sab ka sharir yunhi baithe baithe hi niche zameen ki taraf tezi se girne laga...

khudko yun hawa me itne upar utha hua dekh sabhi chownke aur un sabke mooh se ARRE YE ki adhuri baat nikli jo puri isiliye nahi ho paayi kyunki unke aage kuch kehne se pehle hi unka sharir wapas zameen ki taraf girne laga....

khudko neeche girne se rokne ke liye mere doston ne ek ke baad ek kuch SPELLS bole par koi faayda nahi hua..

unhe aisa lag raha tha maano unhiki unstable shaktiyan unhe neeche dhakel rahi hai aur issi wajah se unke SPELLS kaam nahi kar rahe....

koi upaay,koi SPELL ke kaam naa karte dekh jo hoga dekha jaayega ke tark par chaaron ne apni apni aakhen band kar lin aur zameen se hone waale impact ke liye khudko taiyar karne lage....

par tabhi..........

ARRE YE KYA??????

baat SHAILA ne kahi thi par same question aur reaction sabhi ka tha.....

reason.....tezi se neeche girta mere doston ka sharir jisse zamin par zor se girna chahiye tha,wo zamin se 1 feet upar upar hawa me rook gaya ya ye kahun rok diya gaya....

issi baat ka shock mere doston ko laga tha par jaise hi un sab ki nazar neeche gayi toh naa sirf un sabka shock door ho gaya balki chaaron ke chehre par muskaan bhi aa gayi...

reason...is waqt un sabke neeche hawa me utha hua ek mote se gaddhe ka roop liye WHITE ENERGY ka layer tha....

aur issi gaddhe numa WHITE ENERGY ke layer ne hi mere doston ko hold kiya hua tha..

neeche ke WHITE ENERGY ko dekhte hi mere dost samajh gaye ki ye WHITE ENERGY ka layer YELUPTUS ki hi den hai aur issi ne unhe unki asthir shakiyon ke maaya se bachaya hai....

wahin mere doston ko hold karte hi YELUPTUS ki WHITE ENERGY ne dheere se un chaaron ko wapas zamin par rakh diya..

zamin par rakh wo WHITE ENERGY wapas zamin ke andar chali gayi..

khud ko safe dekh mere dost kuch kehne hi waale the ki tabhi.......

jaise hi YELUPTUS ki WHITE ENERGY zameen ke andar gayi,waise hi mere doson ke sharir ek baar firse vibrate hone shuru ho gaye...

mere dost samajh gaye the ki jab tak wo unki shaktiyon ko control nahi kar lete,unhe ek second ka bhi break nahi milega....

aur isiliye agle hi pal mere chaaron dost wapas dhyan me baith chuke the.....

PLANET-ISLA

PLACE-FLOATING MOUNTAIN

ARRE YE TOH WAHI JAGAH HAI NAA JAHAN HUM COURIOUS JAANE SE PEHLE AAYE THE....(UPDATE-89)

hum gayab hokar jahan pahunche the,us jagah ko dekhkar AVANTIKA ne shock par saath hi khush hokar apni baat kahi....

MAI- hmm.....

is waqt hum ISLA ke sabse khubsoorat jagah FLOATING mountain ke edge par khade the....

FLOATING MOUNTAIN matlab aisa mountain jo hawa me tair raha ho....

saamne ka nazara bhi adhbhudh ..hamare pairon ke neeche se hi kuch chowdi jagah khuli hui thi jiske akhri chhor se jharna beh raha tha...saamne hamare pahad ki hi tarah kayi pahad hawa me tair rahe the....

last time ki hi tarah aaj bhi yahan hawa me halki halki thandak thi jo mousam ko behad khushnuma bana rahi thi....

yahan aakar AVANTIKA behad khush ho gayi thi...wo apne haseen muskurate chehre ko liye idhar udhar dekh rahi thi wahin mere liye toh sabse haseen nazara khud AVANTIKA hi thi...

mai ussi ke khile hue chehre ko dekhne me khoya hua tha....

kuch der tak idhar udhar dekhne ke baad jab AVANTIKA ki nazar mujhpar padi toh usne muhe khudko dekhte hue paaya....

usne aakhon se hi mere yun ek tak usse dekhne ki wajah puchi par mai usse bas niharta hi raha....

mujhe jawab naa deta dekh AVANTIKA ke lab sawal puchne ke liye khulne ko hue hi the ki tabhi......

hamare saamne hawa me ek roshni ubhri aur us roshni ke beech se DEFENDER bahar aaye aur prakat hote hi wo hum dono ke aage jhuk gaye....

MAI- khade ho jaaiye....

mere bolte hi DEFENDER khade ho gaye....

is waqt hume apne saamne ya fir ye kahun ki hume ISLA me dekh DEFENDER ke chehre par khushi saaf dikh rahi thi....

DEFENDER-LORD,aap yun achanak yahan....!!!agar aapne mujhe pehle se apne aagman ke baare me suchit kiya hota toh mai pure ISLA ko aapke swagat hetu saja deta....

MAI- isiliye hi nahi bataya....waise toh aapko ISLA ko sajane ke liye pal bhar bhi nahi lagega par iski koi zaroorat nahi hai...

mai yahan kisi se bhi bhet karne hetu nahi aaya..pichli baar jab mai yahan aaya tha tab mujhe ye jagah bohot pasand aayi thi aur isiliye mai yahan AVNI ke saath kuch pal akele me bitane aaya tha....

DEFENDER- shama karen LORD.maine aapke ekant samay me hastakshep kiya....

MAI- aapko shama maange ki koi awashayakta nahi hai DEFENDER...hum dono ko yahan dekhkar aapko jo khushi hui usse mehsoos karkar mujhe bohot acha laga....

DEFENDER- aap bhale hi apni pehchaan apna ohda bhul jaaye ya khudko kam aanke kintu isse satyata toh nahi badal jaayegi LORD....

aap PARMESHWAR PUTR hain..is grah me toh kya aap is samast bramhaand me sabse khaas hain aur aise khaas vyaktitv ke swami ko apne saamne dekh mai hi kya har koi khush hoga....

maine DEFENDER ki baat par kuch nahi kaha bas halka sa muskura diya....

DEFENDER- aap dono ke ekant samay me maine pehle hi kaafi der tak hastakshep kar liya hai LORD,ab mujhe ijazat den...

maine is baar bhi kuch nahi kaha bas apne sir ko halki si jumbish di...mere aisa karte hi DEFENDER ek baar firse ek baar mere aur AVANTIKA ke aage jhuke aur ussi position me wo gaayab ho gaye.....

DEFENDER ke gaayab hote hi maine ek lambi saans chhodi aur ek khedpurn ek shikayat se bhari muskaan ke saath.....

MAI-PARMESHWAR PUTR......

khudko aisa bolte waqt mujhe koi khaas khushi mehsoos nahi hui thi aur is baat ko AVANTIKA ne bhi note kiya tha...

aur is baar jab maine apni gardan ghumayi toh AVANTIKA ko mujhe ektak dekhta paaya...

par AVANTIKA ki tarah maine usse koi sawal nahi kiya,mai bhi usse ussiki tarah dekhne laga....

kuch der tak ek dusre ko dekhte rehne ke baad......

AVANTIKA-hum toh aap hi ke hain janab...wo bhi hamesha ke liye....booking bhi confirmed hai...ek dusre ki aankhon me khoye rehne ke liye saari umr padi hai...

par filhal agar aapki ijazat ho toh toh kya mai kuch puch kar sakti hun????

AVANTIKA ki baat sun mai has diya aur....

MAI-pucho???

AVANTIKA- pucho???jaise janab ko pata nahi hai ki mai kya puchne waali hun???

khair.agar aap humare mooh se hi hamare sawal sunana chahte hain toh yahi sahi....

PARMESHWAR PUTR.....itna bada darja mila hai tumhe fir bhi tum is ohde ,is pehchan se khush kyun hai ho???

MAI-kabhi kabhi sab kuch paa lena adhurepan ko janm deta hai...jis ohde ki tum baat kar rahi ho,wo mujhe ussi adhurepan ki taraf dhakelta hai....

mujhe meri pehchaan milne ke baad jitni bhi negetive chizen hui hain aur ab bhi ho rahi hain,usse dekhkar,mehsoos karkar lagta hai ki mai is pehchaan ke bina hi thik tha....

is pehchaan,is ohde ka bojh bohot zyada hai jisse uthane me kabhi kabhi bohot taklif hoti hai....

AVANTIKA- itne bade samman ko paane ka,itne unche ohde ke milne ka jo tumme zara sa bhi lalach nahi hai naa,issi wajah se hi ye samman,ye ohda tumhe mila hai...

MAI- kyunki maine ye kaha ki mujhe ye ohda nahi chahiye,isiliye tum is natije par pahunchi ho??

ye bhi toh ho sakta hai ki deep inside mujhe is taakat ka nasha chadha hua ho!!!!

AVANTIKA-acha mere ek sawal ka sahi sahi jawab doge???but no lies haan,just an honest answer....

maine kuch kaha nahi bas apni palkon ko ek baar niche kar AVANTIKA ko haan kaha....

AVANTIKA- agar ek taraf meri jaan khatre me ho,aur dusri taraf saikdon log mout ke kagaar par khade hon,aur tum sirf ek side ko hi bacha sakte ho
,toh kisse bachaoge???

mujhe ya fir dusre side ke logon ko....????

AVANTIKA ne jo sawal pucha tha,uske baare me mai pehle se jaanta tha,par phir bhi uske sawal ko sunkar ke pal ke liye mai andar se bechain sa ho gaya.....

AVANTIKA-mujhe ek honest answer chahiye..

maine ek lambi saans chhodi aur....

MAI- mai dusri taraf ke logon ko bachaunga...

mera jawab sun AVANTIKA ko zara bhi bura nahi laga,ulta uska chehra khil utha....

AVANTIKA- kya mai iski wajah jaan sakti hun???

MAI- bhale hi tum mere liye sabse khaas ho par ek ki jaan ka souda saikdon se nahi kiya jaa sakta....

sirf tumko bachakar khudko aur tumhare chand gharwaalon ko khush rakhne ke liye mai un saikdon ki bali dekar unke hazaron ki ginti ke gharwalon ko taklif nahi de sakta....

mere jawab ko sun AVANTIKA ke chehre par garv ke bhaav ubhre aur....

AVANTIKA- isiliye hi tum LORD OF ANGELS ho....tumhare faisla lene ki shakti insaani jasbaaton se ghire hone ke baawajud daivik hai...

kyunki sirf ek tumhi ho,jo khudke swarth ko side rakh is universe ki bhalayi ke liye niswaarth bhaav se faisle lete ho...

tumhara koi bhi faisla rishton ki dor me bandha nahi hota...aise faisle jisse personally tumhe bohot taklif hoti hai,par fir bhi tum wahi karte ho jo sahi hota hai...

ab aise vyaktitv ke maalik ko shaktiyon ka bhandar soumpna galat nahi ho sakta....

AVANTIKA ki baat sun mai halka sa muskura diya....

AVANTIKA- ab mera dusra sawal...!!!!mai kal se hi tumhare aankhon me halki si bechaini dekh rahi hun....aisa kyun???

MAI- mai soch hi raha tha ki abhi tak tumne mujhse is baare me kaise nahi pucha????

AVANTIKA- ab toh puch liya naa...ab batao bhi....

MAI-SHADOW WORLD.....jahan hume jaana hai...dimag baar baar wahin jaakar atak raha hai....

AVANTIKA- par kyun???

MAI-SHADOW WORLD ki halki halki jhalkiyan toh mere dimag me pehle se thi par ASMODEUS se gale lagte hi mujhe SHADOW WORLD ke baare me puri tarah se pata chala hai...

AVANTIKA- par tumne hi toh kaha tha ki tumne ASMODEUS ke gale lagte waqt uski urja ko khudme kheencha tha aur ussi douran tumhe SHADOW WORLD ka pura knowledge hua!!!!

MAI- aur tumne bhi toh kaha tha ki ye ASMODEUS ki chaal bhi toh ho sakti hai...

bas wahi soch raha hun ki agar ye sab meri ASMODEUS ki urja ko kheenchne ki wajah se hua hai toh koi baat nahi par agar ye ASMODEUS ki koi chaal hogi toh hum sab mushkil me pad sakte hain....

AVANTIKA- toh,SHADOW WORLD jaane ka idea cancel karen????!!!!!!

MAI- tum jaanti ho ki mai aisa nahi kar sakta.....haan,par ye ho sakta hai ki tum sab mere saath mat jaao....mai akela hi...

AVANTIKA- aisa sochna bhi mat....

mai aage kuch kehta usse pehle hi AVANTIKA ne meri baat kaat apni baat kahi....

AVANTIKA-ye baat kabhi mat bhulna ki tumse hi mai hun..tumhare bina mera koi astitv hi nahi hai....

agar koi chaal hai bhi toh hum dono uska mukabala milkal karenge...aur ye mat bhoolo ki ab tumhare dost bhi normal human nahi rahe...

ab unme bhi ANGELS ki power hai....aur isse behtar mouka nahi mil sakta un sabko apni shaktiyon ko test karne ka....

MAI- haan wo bhi hai par ye mat bhoolo ki filhal abhi wo chaaron apni apni shaktiyon ko control nahi kar paaye hain..

aur abhi jo ho raha hai uske hisaab se apni shaktiyon ko apne adhin karne ke liye unhe thode aur paapad belne honge....

AVANTIKA- matlab!!!!abhi kya ho raha hai???

maine kuch kaha nahi bas apna haath aage ki taraf kar diya..mere aisa karte hi hum dono ke saamne hawa me ek picture chalne lagi jisse dekh....

AVANTIKA- arre,ye chaaron hawa me kyun uthe hue hain????

saamne chal rahe drishya ko dekh AVANTIKA ne apna reaction diya....

reason....darasal hamare saamne abhi wahi scene chal raha tha jisme mere chaaron dost dhyan ki mudra me the aur unke sharir hawa me uthe hue the....

abhi mai kuch kehta usse pehle hi....

AVANTIKA- arre ye sab gir kaise rahe hain...????

ab saamne chal rahi picture me wahi scene chal raha tha jab mere doston ki antarik shaktiyon ko unke andar ki uncontrolled shaktiyon ne ek jagah rok diya tha...

aur aisa hote hi mere doston ko ek jhatka laga jis wajah se wo chaaron dhyaan se baahar aa gaye aur agle hi pal un sab ke sharir jo ki hawa me kaafi upar uth gaye the,wo neeche girne lage...

AVANTIKA ye sab shocked hokar dekh hi rahi thi ki tabhi usse ek naya shock laga....

aur is shock ka reason wo WHITE ENERGY thi jinhone mere doston ke bodies ko khud ke upar lekar unhe girne se rok diya tha....

AVANTIKA aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi...fir maine bhi usse wahan jo bhi ho raha hai aur jis wajah se ho raha hai uske baare me bataya..

maine usse YEPLUPUS me basi WHITE ENERGY ka raaz bhi bataya....

AVANTIKA ye jaankar shocked ho gayi ki SHADOW WORLD me fase logon ki bodies YELUPTUS ke zameen ke andar rakhi hui hai...

MAI- ek aur baat batani hai tumhe...

aur iske baad jo baat maine AVANTIKA ko kuch bataya jisse sunte hi......

AVANTIKA-WHATTTTT???????????SACH ME????????

jo baat maine AVANTIKA ko batayi thi,usse sunkar AVANTIKA ko ab tak ka sabse bada shock laga....

wo aakhon me hairani ke samandar ko liye mujhe dekhti rahi....maine bhi kuch nahi kaha bas usse dekhta raha..kuch der tak mujhe yunhi dekhte rehne ke baad....

AVANTIKA- toh ab???

MAI- ab kya??jaise hi ye chaaron apni apni shaktiyon ko control me le aayenge,hum SHADOW WORLD ke liye nikal jaayenge...

fir mere aur AVANTIKA ke beech koi baat nahi hui...hamare saamne hawa me YELUPTUS ka drishya jisme mere chaaron dost dhyan ki mudra me dobara baith chuke the,wo ab bhi chaalu tha..

AVANTIKA ne mere kandhe par apna sir rakh diya aur hum dono humare doston ko dekhne lage....

BACK TO FRIENDS:-

ADHBHUDH.......

ye shabd mere charon doston ke dimag me ek saath gunje the....

aur reason......dobara dhyan me baithne ke baad mere chaaron doston ki aantarik shakti ne firse apni yaatra shuru ki...

safed roshniyan jo ki asal me mere doston ke sharir me beh rahi WHITE ENERGY thi,uske beech se hoti hui unki aantarik shakti tez raftaar pakde aage badhne lagi...

par ek baar firse unki unstable shaktiyon ne unki aantarik shakti ke raaste me roda atkana shuru kar diya...

tez raftar se doud rahi mere doston ki aantarik shakti ki punah raftaar dheeme padne lagi....

par is baar mere dost aur unki aantarik shakti is rukawat ke liye taiyar the....

mere doston ka dhyan,unka chit puri tarah sthir tha aur issi wajah se unki aantarik shakti ke marg me baadha aane par bhi wo nirantar aage badhti rahi....

kuch samay tak lagatar rukawat aane ke baad achanak.........

nazara badal gaya...jahan abhi tak mere doston ki antarik shakti ke har taraf safed roshni chaayi hui thi,ab us roshni ka rang aur roop dono badalne lage....

dekhte hi dekhte wo safed roshni pehle hare rang me badalne lagi aur fir kuch der ke baad us hare rang ne ek bohot hi khubsoorat jungle ka roop le liya...

ek aisa khubsoorat jungle jiski bas kalpana maatr hi ki jaa sakti hai....har taraf aise aise manmohak ped the jinka vastavikta me hona lagbhag naamumik tha....

un pedon ke ird gird chote chote lake bane hue the jinke satah par shweth badal tair se rahe the....

par tabhi mere doston ki aantarik drishti ne kuch aisa dekha jisse usse ek jhatka dekha...

darasal hua ye ki jaise hi mere doston ki aantarik drishti ko ye ehsaas hua ki abhi wo ek jungle me hai,toh agle hi pal us jungle ka pura drishya usse saaf saaf dikhne laga jisse dekh usse jhatka laga...

reason.....us jungle ke har kone me lagbhag saare jaanwar aur pakshiyan moujud the...par shock ki baat ye thi ki har jaanwar apne jhund ke saath naa hokar dusre prajati ke jaanwaron ke saath khel raha tha...

aur wo bhi aisi prajati ke saath jinke saath vastavikta me hona un jaanwaron aur pakshiyon ke liye asambhav tha....

jahan sher hiran ke saath khel raha tha,wahin nevla saanp ke saath baitha hua tha....kutte aur billiyan ek saath udham maccha rahe the wahin baaki ki pakshiyan dusre carnivourous jaanwaron ke upar baithi hui thi.....

aur isiliye mere chaaron doston ke mooh se ek saath ADHBHUDH shabd uccharit hua...

par tabhi mer doston ki aantarik shaktiyon ko ek dusra jhatka laga...aur wo isiliye kyunki ADHBHUDH shabd chaaron ke aantarik shaktiyon ke dwara ek saath uchharit hua tha jisse chaaron ne suna tha...

aur wo isiliye kyunki jungle me chaaron ki aantarik shaktiyan ek saath pahunchi thi aur is waqt wo chaaron shaktiyan ek dusre ke aaju baaju me hi khadi thi....

ek dusre ki shaktiyon ko apne aas paas mehsoos kar chaaron khush ho gaye....

is adhbhudh nazaare ko dekhte hue mere doston ki aantarik shakti dheere dheere hi sahi par aage badhti rahi aur kuch door tak aage chalne ke pashchat ek baar firse nazara badalne laga.......

is waqt mere doston ki aantarik shakti us jungle ke sarhad par pahunch chuki thi..

aur sarhad ke us paar ek safed dhuen ka bada sa chaadar har taraf faila hua tha...

jaise jaise mere doston ki aantarik shakti us safed dhuen ki chaadar ke paas pahunchne lagi,waise waise us aantarik shakti ko us safed dhuen ki chaadar ne har taraf se sametna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte kuch hi palon me mere doston ki aantarik shakti us safed dhuen me puri tarah se dhak gayi thi aur tabhi.......

jaise hi mere doston ki aantarik shakti thodi aur aage gayi toh wo safed dhuan dheere dheere chatne laga aur kuch hi palon baad jab wo dhuan saaf hua ,toh jo nazara mere doston ki aantarik shakti ke saamne tha,usse dekh mere doston ki aantraik ke saath saath unke chehre par jo ki filhal dhyan mudra me tha,uspar bhi vismay ke bhaav aane lage...

reason...is waqt mere doston ki aantarik drishti ke saamne ek lambi si safed pool thi jo chakam rahi thi...

aur us pool ke dusre chhor par ek bohot hi bada saa sweth rang ka gate tha...mere doston ki aantarik shakti us pool se hote hue aage badhne lage..

aur kuch pal baad jab mere doston ki aantarik shakti us pool ke dusre chhor par pahunchi,toh usse ek naya jhatka laga....

reason....pool ke dusre side par jo gate tha,us gate ke dono ends par do paheredaar khade the unhe dekhkar aankatarik shakti ko shock laga....

aur iski wajah ye thi ki jo do paheredaar us gate se lag kar khade hue the,unhe ya fir ye kahun ki un jaiso ko mere doston ne pehle bhi dekha tha par sirf mere piche khade hue...

un dono ko shock ke saath dekhte hue mere chaaron doston ke aanatrik shaktiyon ne ek baar firse saath me uccharit kiya.....

ANGELS......

ji haan doston,is waqt mere doston ke saamne jo do paheredaar khade the,wo aur koi nahi ANGELS the jo muskurate hue mere doston ko dekh rahe the...

aur tabhi......

un dono ANGELS ne us bade se gate ko khola aur gate ke khulte hi jo nazara mere doston ki aantarik drishti ke saamne aaya,usse dekhkar unhe ek saath do do anubhuti hui..

pehli...vismay ki....saamne ka nazara tha hi itna khubsoorat....

aur dusri....sukoon ki.....saamne ke nazare ko dekhkar mere doston ke antarik drishti se hote hue unki aantarik shakti ko ek aisi shanti ki anubhuti hui jaisa usne pehle kabhi feel nahi kiya tha....

vismay aur sukoon ke mile jule swaroop ko khud me lapete chaaron ki aantarik shakti us gate ke andar ki taraf badh gayi...

wo do ANGELS jinhone us gate ko khola tha,wo bhi un chaaron ke peeche ho liye...

wahin chaaron ki aantarik drishti har taraf ke nazare ko dekh,usse mehsoos kar lagatar tript hote jaa rahi thi....

wo nazara tha hi aisa.....

chaaron taraf anant lambai aur choudayi ke beech halke sweth rang ko odhe chote chote par anginat khubsurat mehel bane hue the...
us jagah se thodi hi upar chote chote taare timtima rahe the jo us mahoul ko aur bhi khubsoorat bana rahe the.....

aakash ke har kone me bohot se ANGELS ek dusre se baatein karte ud rahe the....

jis path par wo chaaron chal rahe the,uske dono sides me thodi door safed chaadar ko odhe ek moti dhaar ke saath jharne beh rahe the...

un jharno ka gantavya,unka ground touching point dikh toh nahi raha tha par un jharno ki wajah se wahan ke mahoul me halki halki thand thi jo us jagah ko aur bhi khushnuma mana rahi thi....

mere doston ki aantarik shakti in manmohak nazaron ka anand uthate hue aage badh rahe the ki tabhi.....

JAGAH PASAND AAYI......

ek roubdaar awaaz mere doston ke kaano me padi jisse sun wo sab apni tantra se na sirf baahar aaye balki chownk bhi gaye....

reason.....ye awaaz unke saamne se aayi thi...chaaron taraf drishti ghumate hue nazaron ka anand uthane ke chakkar me mere doston ki aanatrik shakti ki drishti saamne dekhna bhool gayi thi...

aur jab awaaz sun chaaron ne apne aage dekha toh khudko ek bade se open mehel ke darbaar me paaya....

par un sab ke chownke ki asli wajah ye sab nahi tha balki wo awaaz thi jo unke kaano me gunji thi...

ye awaaz us darbaar ke beech me bani raajgadhi ki taraf se aayi thi jiske peeche koi peeth karke khada hua tha.....

aur jaise hi wo banda ghumte hue saamne ki taraf aaya,toh mere doston ko ek aur jhatka laga aur un sab ke mooh se ek saath nikla....

CHAARON-VIKRAM.............

ji haan doston,raajgadhi ke saamne khada banda aur koi nahi mai hi tha....aur is waqt mai apni ANGELS LORD ke bhesh me tha....

apne doston ki antarik shakti ko shocked chhod mai muskurate hue apni raajgadhi me baith gaya....

kuch der tak yunhi shocked me rehne ke baad....

RONIT- ye sab kya hai??ye jagah,ye mehel aur iski raajgadhi par tu baitha hai!!!,mujhe toh kuch samajh me nahi aa raha hai...

MAI-galat...tum chaaron ko samajh me aa chuka hai bas tum maanana nahi chaahte....

meri baat sun mere chaaron dost ek baar firse chownke aur ussi haalat me....

SHAILA-KYA

MOKALSAR-YE

AKSHAANT-SACH ME

RONIT-HEAVEN HAI......

MAI- haan......

mere chaaron dost ab bhi avishwas bhari nazaron se mujhe dekh rahe the....aur isiliye......

MAI- peeche dekho.....

meri awaaz se un chaaron ki tantra tooti aur jaise hi wo chaaron palte,unhe firse ek jhatka laga.....

reason....un sab ke peeche is waqt unhi ki unstable shaktiyan hawa me rooki huyi thi....

kuch pal tak in sab cheezon ko samajhne ki koshish karne ke baad bhi jab mere chaaron doston ko kuch samajh me nahi aaya toh wapas meri taraf palte....

MAI-mai koun hun???

mere sawal par mere dost hadbada gaye par fir....

RONIT-LORD OF ANGELS....

MAI- iska matlab???

SHAILA- ANGELS ka pratinidhi.....unka maalik!!!!!!

MAI-hmm.aur jo unstable aniyantrit shaktiyan tum chaaron ke andar hai wo ANGELS ki hai...

aur ANGELS ka ghar HEAVEN hota hai.....ye shaktiyan unstable isiliye thi kyunki ye apne ghar yaani HEAVEN me naa pahunch tumhare andar pahunch gayi thi....

aur apne pratinidhi apne maalik se ijazat liye bina ye tumhe khudko kaise soump sakti hain....???

isiliye ye chatpata rahi thi aur tum chaaron ko force kar rahi thi ki tum inhe inke ghar le chalo....

aur aakhir me tum inhe inke ghar le hi aaye......

AKSHAANT- par hume toh in shaktiyon ko apne mastishk se jodna tha naa...

MAI-is waqt tumhari aantarik shakti ke saath saath tumhara mastishk bhi is jagah se juda hua hai.....

meri baat sun mere doston ne kuch nahi kaha bas mujhe ek tak dekhte rahe....par ab waqt aa gaya tha jab mai apne doston ko unka puraskaar,unka inaam soump dun aur isiliye.......

MAI-MAI VIKRAM LORD OF ANGELS,TUM CHAARON KE SHAREER AUR AATMA KO ANGELS KI SHAKTI KO RAKHNE AUR ISTEMAAL KARNE KI ANUMATI DETA HUN....

jaise hi maine apni baat kahi,uske agle hi pal mer doston ke peeche khadi unki daivik shaktiyan ek jhatke me un chaaron ke andar sama gayi....

aur aisa hote hi mere doston ki aantarik shakti hawa me uth gayi.....

baaki ANGELS ki hi tarah unke sharir par bhi ANGELS ke vastra aa gaye....

kuch der tak yunhi hawa me rehne ke baad wo chaaron neeche aaye aur neeche aate hi unki aankhen khul gayi.....

ab mere dost sadharan yodhaon se daivik yodha me badal chuke the.....

aankh khulte hi wo mere aage apne ghutno par jhuk gaye......

MAI- iski zaroorat nahi hai doston..tum sab ye shaktiyan deserve karte ho....

meri baat sun wo chaaron khade ho gaye.....

RONIT-hum isiliye nahi jhuke kyunki tu LORD OF ANGELS hai....tere ohde ki respect karne ke liye hume jhukne ki zaroorat nahi hai..

tujhe pata hai ki tere har roop ki hum sab dil se respect karte hain.....

humare jhukne ki wajah thi tera humare aatm samman ko respect karna....

tu LORD OF ANGELS hai...jo shaktiyan hamare andar doud rahi hain,wo tere hi aadhin hai....

agar tu chahta toh ye shaktiyan hume yunhi de sakta tha....aur ye bhi ek sach hai ki tere rehte hume in shaktiyon ki bhi zaroorat nahi hai....

agar tu chaahe toh hum sab ke ird gird ek aisi SHIELD bana de jisse koi bhi bhed nahi paayega...

par tune aisa kuch bhi nahi kiya..tune hume bas raah dikhayi,manzil par kaise pahunche,ye tune hum par chhoda tha....

SHAILA- RONIT sahi keh raha hai....in shaktiyon ko agar hum yunhi paa letre toh shayad kabhi in shaktiyon ki kadar nahi kar paate...

AKSHAANT- itna hi nahi,ye bhi ho sakta tha ki shaktiyon ke guroor me aakar hum inka galat istemal karte.....

MOKALSAR-par jin kathinaayiyon se guzar kar humne ye shaktiyan paayi hain,usse naa sirf humara aatmvishwas badha hai balki hume in shaktiyon ki ehmiyat ka ehsaas bhi hai.....

RONIT-isiliye thanks mere bhai....hai toh tu hamara dost,par kaam tune ek zimmedar pitah ki tarah kiya hai...

wo pitah jo apne baccho ko har chiz yunhi nahi de deta...balki unhe har chiz ki ehmiyat ka ehsaas karata hai aur unhe acche aur bure ke beech ka fark bhi samjhata hai....

mere doston ki baat sunkar mere chehre par ek vijayi muskaan aa gayi...yahi sab toh mai sunana chahta tha...

mai chahta tha ki mere dost un shaktiyon ki ehmiyat ko dil se samjhe,taaki unka istemaal wo sirf show off ke liye nahi balki acchayi ki raksha ke liye karen...

MAI-tumhare jaane ka samay ho gaya.....

mere ye bolte hi mere doston ki aantarik shakti ko ek jhatka laga aur agle hi pal.....

mere doston ki aankhen khul gayi....

MAI-ANGELS ki shaktiyan mubaarak ho doston....

mere dost apne dhyan se baahar aa chuke the aur aankh khulte hi unki nazar saamne padi jahan mai aur AVANTIKA khade unhe dekhkar muskura rahe the....

mere chaaron dost ek saath khade hue aur meri taraf badhe...ek ek kar chaaron mujhse gale lage....

RONIT- yaar meri shaktiyan toh ab mere control me hai par fir bhi mujhe mera body ab bhi halka bhaari lag raha hai...

MAI-thodi der me normal ho jaayega...kya tum sab ko pata hai ki tum sab kitne der tak dhyan me baithe rahe....

chaaron ne naa me apni gardan hilayi.....

MAI-48 ghante.....

meri baat sun chaaron ko ek jhatka laga....

MAI- haan..aur ab jab tum sabko tumhari shaktiyan mil gayi hai,toh ab hume kahin jaana hoga.....

RONIT-SHADOW WORLD......

MAI- haan....GRAHAM MAARG GACHATI......

ye wahi SPELL tha jo ASMODEUS ne uske DEVILS ko SHADOW WORLD bhejne ke liye bola tha...(UPDATE 65)

SPELL bolte hi mere body se paanch rays nikli jo AVANTIKA aur un chaaron par padi aur agle hi pal......

RONIT- abb ye kaisi jagah hai???hum toh SHADOW WORLD jaane waale the naa!!!!

darasal baat aisi thi ki hum sab gaayab ho antariskh ke beech me khade the..humare aage koi grah koi planet nahi tha bas ek open space thaa....

MAI-hum sab SHADOW WORLD ke grah binduon se hokar yahan pahunche hai iska matlab hai ki hum SHADOW WORLD ke baahar hi khade hain.....

SHAILA- par yahan toh kuch dikh hi nahi raha...

MAI- wo isiliye kyunki ASMODEUS ne SHADOW WORLD ko gaayab kar diya hai..itna hi nahi,uske pramukh DEVILS ne PURNA OJMANAM naam ke SPELL se SHADOW WORLD ko protect kiya hua hai....

SHAILA- haan toh hum chaaron apni shakti unki is SHIELD ko tod dete hai naa....

MAI- nahi....

RONIT- kyun???kya hum ab bhi DEVILS ke SPELLS ko kaatne ke laayak nahi hain???

MAI- bilkul ho...par jis SPELL se DEVILS ne is jagah ko baandha hai,us SPELL ne khudko kaam me laane ke liye un DEVILS ki puri shakti ko nichod liya tha....

tumhe is SHIELD ko todne ke liye apni bhi saari shakti ko baahar nikalkar is SHIELD par waar karna hoga jisse tum sab par kamzori haawo ho jaayegi jis wajah se tum sab bohot der ke liye gehri neend me chale jaaoge...

AKSHAANT-oh...toh ab kya karen....???

maine kuch kaha nahi bas apna haath aage kiya...mere aisa karte hi mere seene ke beech ek tez roshni hui aur agle hi pal us roshni se hoti hui meri SWORD mere haathon me aa gayi....

BANDHAN VINASHAM

SHIELD DESTROY

SWORD ke mere haathon me aate hi maine SPELL bola aur agle hi pal....

mere SWORD se ek tez roshni lagi aur DEVILS ke adrishya kawach par padi aur aisa hote hi.....

BOOM......

ek tez dhamake ke saath wo SHIELD khatm ho gayi par uske agle pal jo nazara humare saamne aaya usse dekhkar mere doston ke chehre par do do bhaav ek saath ubhre...

1ST-KHUSHI.....

2ND-TENTION.....

khushi isiliye kyunki SWORD se nikle vidhwanshak rays ki wajah se DEVILS ka SHIELD toot chuka tha....

aur tention isiliye ki SWORD ki rays se naa sirf SHIELD tooti thi,balki SHADOW WORLD ka planet bhi ab visible ho gaya tha..

aur saath hi visible ho gaye the us planet ke chaaron taraf lage electric rays ki salakhen...

SHAILA- ye toh....

MAI- ek jail hai....is PLANET ko ASMODEUS ne ek jail ki tarah banaya hai aur jo salakhen hum dekh rahe hain,uske khulne par hi hum PLANET ke andar jaa sakte hain....

maine SHAILA ki baat ko pura kiya......

RONIT- haan toh tention kya hai???jaise SHIELD ko toda,waise hi apni SWORD se in salakhon ko tod de....

MAI- mai aisa nahi kar sakta..ye koi aam salakhen nahi hain..jin rays se ye salakhen bani hain,wo is PLANET ki urja hai...

agar maine is par apne SWORD se prahar kiya toh in salakhon ke saath saath pura SHADOW WORLD bhi tabah ho jaayega.....

RONIT- yaar ye toh sach me tention waali baat hai...ab kya karen....???

MAI-isla solution me saath laaya hun...

ye bol maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi mere haathon me ek chiz aa gayi jisse kuch der tak dekhne ke baad.....

AVANTIKA-CURIOUS TREE......ye ussi ke branches se bana powder hai naa.....(UPDATE-61)

AVANTIKA jo ki bade dhyan se mere hatheli ke upar rakha powder dekh rahi thi,uske dimag ki batti achanak jali aur usne apni baat kahi.....

MAI- hmm par iska ek aur naam bhi hai....

AVANTIKA- haan,PRISONS KEY......oh my god,how did i forget......

achanak AVANTIKA ko CURIOUS TREE ka dusra naam aur uski upyogita yaad aayi aur issike saath usse ye bhi samajh aa gaya ki mai CURIOUS TREE ke branches ke powder ko yahan kyun lekar aaya hun...

AVANTIKA toh samajh chuki thi,par baaki chaaron ko kuch samajh nahi aaya tha...wo chehre par sawal liye kabhi mujhe dekhte aur kabhi AVANTIKA ko....

SHAILA- koi hume bhi batayega ki tum dono kis baare me baat kar rahe ho aur tumhare haathon me ye churn hai kya????

MAI-SECRILLA jungle ke madhya me ek ped hai jisse CURIOUS TREE kehte hain...

ye churn ussi ped ke daali ko ghis kar banaya gaya hai jo ki asal me DEVILS ke dwara banaye gaye kisi bhi jaaduyi kaidkhaane ki chaabi hai aur isiliye isse PRISONS KEY bhi kehte hain....

darasal SECRILLA me ANGELS aur DEVILS ne apne apne tarike se shakti pradarshan kiye the aur us shakti pradarshan ka sabse zyada asar wahan ke moujud paani parhua tha jiske kul do swaroop hai..pehli nadi aur dusri jharne....

aur unhi jharno aur nadi ke paani ne khudko SECRILLA ke zamin ke andar bhi basaya tha..

jis paani me DEVILS aur ANGELS ki shakti pradarshan ka sabse zyada effect hua tha,us paani ki urja se hi ek ped ne janm liya jisse CURIOUS TREE kehte hain aur us tree ke darakhton se dekar daaliyon tak me us urja ki wajah se kayi vishestaayen aayin jinme se ek visheshta aloukik thi aur wo yahi thi....

us led ka churn kisi bhi jaadudi kaidkhaane ko kholne ki shamata rakhta hai aur isiliye is ped ko aur iske is churn ko jo mere hatheli par hai,usse PRISONS KEY kehte hain.....

AKSHAANT-ADHBHUDH......toh ab??iska istemaal kaise kiya jaaye???

maine kuch kaha nahi bas apne hatheli ko jisme CURIOUS TREE ka churn tha,usse apne honth ke paas laaya aur agle hi pal....

FUUUUUUUU................

maine ek zor ki foonkh maari aur mere aisa karte hi wo churn ek jhatke me aage badh gaya aur dekhte hi dekhte us churn ne ek patli si chaadar ka roop liya aur aage badhte hue us churn numa chaadar ne pure SHADOW WORLD ko gher liya aur jaise hi us churn ne SHADOW WORLD ko ghere salakhon ko chua........

wo salakhen bina kisi awaaz ke gaayab ho gaye jisse dekh mere dost khushi se ucchal pade....

MAI- chalen.....

maine AVANTIKA ka haath thaama aur aage badh gaya..mere peeche peeche mere chaaron dost bhi aage badh gaye...

kuch hi palon me hum sab SHADOW WORLD ke atmosphere me enter kar chuke the...

aur fir kuch aur lamhe guzarne ke baad hum sab SHADOW WORLD ke zamin par aapne apne paawn tika chuke the....

SHADOW WORLD me pahunchkar hum sab bohot khush the par saath hi is baat se anjaan bhi ki humare SHADOW WORLD me enter hote hi wo jaaduyi salakhen waapas prakat ho chuki thi jiska matlab tha ki ab hum pasnchon bhi us jail numa duniya me fas chuke the........

PLANET- SHADOW WORLD

PLACE-OPEN LAND

SAMAY SACHALAKON...ISHWAR NE AAP SABKI PRARTHANA SUN LI...AAP SABKE DUKH AUR TAKLIF KI GHADI SAMAPT HUI...AAKHEN KHOLIYE....

saare SAMAY SANCHALAK jo ki is waqt apni aakhen band kiye ISHWAR se prarthana kar rahe the,achanak unke kaano me ek tez dhwani padi jisse sunte hi un sab ki aakhen ek jhatke me khul gayi.....

apne saamne 5 anjaan logon ko dekh pehle toh wo jab chownke par jaise hi unki nazar sirf mujhpar aakar tiki,toh unki khushi ka thikana nahi raha....

reason...SAMAY SANCHALAKON ko mere sharir se nikalti urja ka abhaas ho gaya jisse mehsoos kar wo samajh gaye ki mai kaun hun.....

wahin jaise hi saare SAMAY SANCHALAK meri taraf palte,toh mere chehre par ek muskaan naach gayi.....

kyun???ye aapko next update me pata chalega....

khair,mujhe apne saamne dekh wo sab neeche jhukne hi wale the ki......

AAHH........AAHHHHH........AAHHHHHHH......

ek ke baad ek sabhi SAMAY SANCHALAKON ke mooh se dard bhari karahe phoot padi....

aur reason wahi tha jo hamesha se rehta aaya tha...SAMAY SANCHALAKON ke neeche achanak aag prajwalit ho uthi thi jiski wajah se unke mooh se aah nikli thi....

RONIT- ye sab kya ho raha hai????

MAI- thoda rook batata hun....

yahan hum baat kar rahe the wahin humare saamne jaise hi SAMAY SANCHALAKON ke niche ubhri aag bujhi toh apne dard ko zabt karte hue wo sab ek baar firse neeche jhukne lage par.....

MAI-iski koi zaroorat nahi hai...aap sab ka padh aur ohda bohot bada hai...

najaane kitni sadiyon tak aapne pure bramhaand ke samay chakra ko sahi tarike se ghumane ka daayitv nibhaya hai..

aur aaj bhi aap jis aag se tap rahe hain,wo bhi ussi samay chakra ki nirantarta ko banaye rakhne ke liye sah rahe hain...

aap sab ne pehle hi bina kisi galti ke itne varshon tak saza bhugti hai....

mujhe aapko bachane ke liye pehle hi aa jaana chahiye tha par mai aisa kar nahi paaya...mere aage jhuk kar mujhe aur sharminda nahi kijiye....

1ST SAMAY SANCHALAK-aapki vaani aur usse nikla har vaakya aapke charitr aur aapke chavi ki mahanta darshata hai...

hum aapse mil paaye,isse badi samman ki baat hamare liye kuch nahi ho sakti.....

mai unki baat sun bas muskura diya....

MAI-aap ki saza aur dard ka anth karne ke liye hume is PLANET se nikalna hoga...aur ek baar aap is grah se baahar nikal apne grah YELUPTUS pahunch gaye toh aap sabki har taklif khatm ho jaayegi....

kintu usse pehle mujhe ek atti awashayak kaarya pura karna hai...

2ND SAMAY SANSHALAK- kya aap???

MAI- haan,mai ussi kaam ke baare me baat kar raha hun.....kya aap sab kuch der aur pratikhsa kar sakte hain.....

maine us SAMAY SANCHALAK ki baat kaat kar apni baat kahi jisse sun....

1ST SAMAY SANCHALAK-jab itne varsho tak yahan rahe hain toh kuch pal me kya fark padega..aur waise bhi,jis kaam ki aap baat kar rahe hain,wo bhi atti avashyak hai....

RONIT- abbe aur kaun sa kaam bacha hai???saare SHADOWS toh yahi hai naa....!!!!

MAI- saare nahi....

RONIT- matlab...!!!

MAI-sab pata chal jaayega...par uske liye hume yahan se jaana hoga..

apni baat keh mai AVANTIKA ko le hawa me uth gaya aur mere saath hi mere baaki ke chaaron dost bhi hawa me uth gaye aur agle hi pal hum ek disha ki aur aage badh gaye...

raaste me maine RONIT aur baaki teeno ko SAMAY SANCHALAKON ki puri history batayi jisse sun un sab ko bhi bohot dukh hua...

baat karte karte hum us jagah par pahunch gaye the jahan hume pahunchna tha isiliye hum sab neeche zamin par utar gaye par isse pehle ki koi mujhse kuch puchta...

MAI-RONIT,MONSLICKEL jaane se pehle aur wahan se aane ke baad mai aur AVANTIKA kahin jaate the...

tu jaanana chahta tha naa ki hum kahan jaate the aur kyun jaate the.....???

mere yun achanak is baat ko chedne ka kaaran toh RONIT ko samajh nahi aaya par wo itna toh samajh hi gaya tha ki mai kuch bhi bewajah nahi kehta aur isiliye....

RONIT- jaanana chahta tha nahi janana chahta hun.....

maine ek baar AVANTIKA ko dekha jo mujhe hi dekh rahi thi....

MAI-TWISTED DIMENSION...us jagah kaa naam jahan hum dono jaaya karte the....

Ek aisi jagah jahan naa toh paap ka raaj hai aur naahi punya ka...

aur jaanta hai hum wahan kyun jaate the???

RONIT ne naa me apna sir hilaya.....

MAI- apni baayen taraf dekh.....

mere kehne par jaise hi RONIT ne apni gardan left taraf ghumayi,toh uske agle hi pal usne turant apni gardan wapas meri taraf kar di....

mai uske aisa karne ka reason jaanta tha aur isiliye....

MAI- IS BAAR NAA TOH KOI MAAYA HAI,NAA TOH KOI CHHAL.....NAA TOH KOI DHOKA HAI AUR NAAHI KOI KHWAAB....SIRF SACH HAI......

meri baat sun RONIT ke pair kaampne lage..dhadakte dil aur ashk bhare aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mooh se awaaz nahi balki ek cheekh nikal padi......

RONIT-ANJALIIIIIIIIIIIIIII..........................

AAJ KE LIYE ITNA HI

AAPKA APNA V....J......
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM,AVANTIKA & FRIENDS SHADOW WORLD ME PAHUNCH JAATE HAIN JAHAN RONIT KO APNE ZINDAGI KA SABSE BADA SURPRISE MILTA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA UPDATE-111

FINAL ADVENTURE

FINAL PART

PLANET-SHADOW WORLD

PLACE-HILLS FRONT

MAI- IS BAAR NAA TOH KOI MAAYA HAI,NAA TOH KOI CHHAL.....NAA TOH KOI DHOKA HAI AUR NAAHI KOI KHWAAB....SIRF SACH HAI......

meri baat sun RONIT ke pair kaampne lage..dhadakte dil aur ashk bhare aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mooh se awaaz nahi balki ek cheekh nikal padi......

RONIT-ANJALIIIIIIIIIIIIIII..........................

RONIT ki is cheekh me uska itne samay tak dabaya hua dard,uski tadap,uski majburi,uska junoon,uski khud se chal rahi jaddojahat,uske dil ki chitkaar aur ussi dil ke har kone me basa hua uska ANJALI ke liye beshumar PYAR saaf jhalak gaya....

in saare bhavnaao,feelings ko hum paachon ne bhi feel kiya tha...

jahan mai,AKSHAANT aur MOKALSAR khudko control me rakhe hue the wahin AVANTIKA aur SHAILA ke aankhon me aansu tair chuke the.....

wahin hum sab se kuch hi door ek bade se chattan ke saamne aakhen band kiye hue dhyan me baithi hui ANJALI ke kaano me jaise hi uske naam ki cheekh gunji,toh uski aankhen jhat se khul gayi.....

aur aankh khulne par jaise hi ANJALI ki nazar humpe gayi toh pehle toh usse behad hairat hui par ye hairat us khushi ko uske chehre par aane se rok nahi paayi....

ek pal ka hairat zindagi bhar ke khushi ki shakal me badal gaya....

hum sab ko chamakti aakhon se dekhne ke baad ANJALI ki nazar ek chehre par tik gayi...

ye chehra RONIT ka tha jo usse apni bheegi aankhon se ek tak dekh raha tha....

RONIT par nazar padte hi ANJALI ki nazaren bhi uspar aakar tik si gayi....aisa lag raha tha maano dono ki aakhon ke beech ek adrishya pool ban gaya hai jisse dono hi jud gaye hain.......

kehte hai sabse tez,saaf aur sachhi awaz khamoshi ki hoti hai..khamosh zuban aankhon ke zariye wo baaten keh deta hai jo zuban shayad kabhi na keh paaye.....

ek tak ek dusri ki aankhon me doobe RONIT aur ANJALI is waqt ussi khamoshi ki bhasha me baat kar rahe the...

dono ke zuban khamosh the par dono ke DIL apas me baat kar rahe the....

waise toh mai har kisi ke man ki baat padh sakta hun par filhal in dono ke dilon ke beech kya baatein ho rahi hain,usse jaanane ke liye mujhe in dono ke man me jhaakne ki koi zaroorat nahi thi...

mai hi kya,mere saath mera haath thaame khadi AVANTIKA,mere peeche khade AKSHAANT,SHAILA,aur MOKALSAR bhi in dono ke dil ki baaton ko samajh paa rahe the....

hume ANJALI ke saamne aaye,RONIT ko ANJALI ke naam se cheekhe aur ANJALI ko hume dekh fir RONIT ki aankhon me khoye hue 10 minute se upar ho chuke the....

par ab tak naa humme se kisi ne kuch kaha tha aur naahi RONIT aur ANJALI ne....

maine bhi abhi tak kuch nahi kaha tha kyunki mujhe pata tha ki RONIT ab tak bas duniya ke liye zinda tha par andar hi andar wo har pal mar raha tha...

par abhi abhi ANJALI ke roop me jo nayi zindagi RONIT ke andar wapas apna ghar basa rahi hai,usme thoda waqt toh lagna hi tha....

wahin itne samay tak yahan kaid hone ki wajah se hamare saamne khadi ANJALI ke man ki bhi ummid ki jyoti dheere dheere marne si lagi thi...

par aaj hume dekh aur specially RONIT ko dekh us bujhti jyoti me phir se tel pada tha jisne us jyoti ke aakar ko aag me badal diya tha....

ANJALI ke man me uthe hue us prachand aag ke veg ko bhi wapss jyoti me badalne ke liye thoda waqt chahiye tha......

kuch aur palon tak yunhi khade hokar ANJALI ko niharne ke baad RONIT ke kadam dheere dheere ANJALI ki taraf badhne lage....

wahin ANJALI jo abhi bhi ek tak RONIT ko dekhe jaa rahi thi,RONIT ko apne paas aata dekh usse bhi khudme ek hararat mehsoos hui...

filhal abhi toh uske paas dil nahi tha,par fir bhi RONIT ko apne kareeb aata dekh usse aisa mehsoos hua ki uske andar kuch dhadak sa utha hai.....

aage badhta hua RONIT thik ANJALI ke saamne pahunchkar rook gaya...abhi bhi RONIT ko uske saamne khadi ANJALI ki vaastavikta ka gyaan nahi hua tha....

wo toh bas ANJALI ke khubsoorat chehre ko nihar raha tha.....

itne der tak khamoshi ko baat karte dene ke baad ab baari thi labon ke hilne ki aur isiliye.....

ANJALI-RONIT.......

RONIT...........bas itna hi kaha ANJALI ne par shayad itna hi kaafi tha.....kya react karun???kaise react karun???jaise sawalon se RONIT ka vivek uska dimag jo uljha hua tha,ANJALI ke mooh se apna naam sun wo uljhan khatm ho gayi......

RONIT-ANJU...........

ANJALI ki hi tarah bas itna hi keh paaya RONIT aur agle hi pal apne dimag me uth rahe uljhano ko khatm kar........

RONIT ne jhat se aage badhkar apne dono haathon ko dono taraf se badhaya taaki ANJALI ko khudme samat sake par tabhi.....

RONIT- arre ye kya???mai tumhe chu kyun nahi paa raha hun????

jahan RONIT awishwas bhari aakhon se ANJALI ki taraf dekh raha tha wahin ANJALI ke chehre par ek fiki si muskaan thi....

kuch der tak situation ko samajhne ki koshish karne ke baad jab RONIT ne ek baar firse ANJALI ki taraf dekha ya fir ye kahun ki ANJALI ke chehre ke saath saath usse upar se neeche tak observe kiya toh.....

RONIT-tumhari body transparent kaise?????

ANJALI-MAI EK AATMA HUN........AUR AATMA KO CHUA NAHI JAA SAKTA.....

RONIT-WHAT?????????

ye ek naya bomb tha jo is waqt RONIT ke upar gira tha..sirf RONIT par hi nahi,ANJALI ki baat sun MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA ko bhi zor ka jhatka laga...

ye teeno toh bechare abhi tak is shock se bhi thik se nahi ubhre the ki ANJALI zinda hai aur tabhi unhe ek naya shock laga tha....

aur is SHOCK ke saath RONIT aur in teeno ke man me ek naye dar ne bhi ghar kar liya tha.....

dil hi dil apne us dar ko sirf ek jhooth sabit hone ki dua karte hue.....

RONIT-par tu toh zinda hai naa????!!!!!!

is ummid ke saath ki ANJALI ke mooh se HAAN nikle......
dhadakte dil se RONIT ne apne sawal ko ya fir ye kahun ki apne dar ko ANJALI ke saamne rakha......

ANJALI- mujhe nahi pata.....

ANJALI ke jawab ko sun RONIT ke saath saath mere teeno dost ko fir se shock laga...

RONIT- nahi pata matlab???tujhe apne zinda rehne ke baare me nahi pata hoga toh kisse pata hoga???

ANJALI ne kuch kaha nahi bas apni nazaren mujhpar kar di.....is waqt ANJALI ki nazar me dar aur ummid dono dikh rahe the....

TU MAR CHUKI HAI.....is baat ko sunane ka dar......

TU ZINDA HAI.....is baat ko jaanane ki ummid......

jaise hi ANJALI ne meri taraf dekha,toh uski nazar ka picha karte hue RONIT ki nazar bhi mujhpar tik gayi...aur uske aakhon me bhi samne feelings dikhne lage....

dar aur ummid........

MAI-darne ki zaroorat nahi hai ANJU.....teri ummid sahi hai....TU ZINDA HAI......

meri baat sun ANJALI se zyada toh RONIT ki aankhen chamak uthi aur isiliye.....

RONIT- sach......

ye bol ya fir ye kahun ki ye chiila RONIT wapas meri taraf dauda aur saale ne mujhpar kudate hue mujhe zor se hug kar liya....

MAI- abbe hat...saale,itne din baad teri G.F tere paas hai phir bhi mujhse gale lage pada hai tu....saale tere preferences toh nahi badal gaye naa....

jahan meri baat sun baaki sab has pade wahin RONIT pe kuch khaas fark nahi pada..wo waise hi mujhe kas kar gale lagaye raha.....uske aankhon me ab bhi aansu the par is bar wo aansu khushi ke the....

MAI- ab bas bhi kar yaar.....jaa aur ANJALI ko hug kar apne tadapte dil ko sukoon pahuncha.....

meri baat sun RONIT mujhse alag hua aur....

RONIT- kaise yaar????wo toh abhi spirit form me hai...aise me toh mai usse touch bhi nahi kar sakta aur tu gale lagane ki baat karta hai....

MAI-ek baar try toh kar..kya pata connection ho jaaye....!!!

meri baat naahi RONIT aur ANJALI ko samajh aayi aur naahi mere baaki ke teeno doston ko.....

AVANTIKA- RONIT, V.J ne jo kaha hai wo kar..sab samajh me aa jayega....

AVANTIKA ki baat sun RONIT wapas palta aur ANJALI ki taraf badh gaya..aur is baar jaise hi RONIT ne ANJALI ko hug karne ke liye apni baahen failate hue apne dono haathon se ANJALI ke kareeb laaya toh usse aur uske saath saath ANJALI ko bhi ek jhatka laga.....

reason.....is baar RONIT ke haath ANJALI ki spirit ke aar paar nahi hue....wo usse chu paa raha tha....

wahin RONIT ke haathon ko khudpar mehsoos kar ANJALI ko bhi shock laga...

wo jhat se RONIT se alag hui aur khudko dekha...RONIT ki bhi nazar uspar hi thi...

ek baar firse dono ko shock laga aur iska kaaran ye tha ki ANJALI ab bhi spirit form me hi thi....

dono apni apni aakhon me hairat liye meri taraf dekhne lage wahin mai aur AVANTIKA toh muskura hi rahe the...

MAI- maine tere SPIRIT form ko kuch der ke liye SOLID kar diya hai....ab ye hairaniyan chhodo aur ek dusre ko ache se mehsoos kar lo..zyada waqt nahi hai....

meri baat sun RONIT aur ANJALI khush ho gaye aur agle hi pal.......

RONIT aur ANJALI ek dusre me sama chuke the...dono ne ek dusre ko itni zor se hug kiya tha maano ek dusre ke andar sama jaana chahte hon....

kuch der tak yunhi ek dusre ko andar tak mehsoos karne ke baad jab dono ka aalingan khatm hua toh dono ke lab ek dusre se jud gaye.....

aankhen band kar dono hi ek deep kiss me kho chuke the....agar ek dusre ko baahon me sametne ke baad bhi kuch kasar baaki reh gayi hogi toh wo is chumban is kiss me nikal jaani thi...

dono pure shiddat ke saath ek dusre ke labon ko mehsoos karne me lage hue the..is kiss me koi hawas,koi lobh nahi tha....tha toh bas PYAAR......

MAI- lo kar lo baat...saala yahan hum in dono ke chakkar me upwas kiye khade hain aur ye dono milte hi boondiya lootne me lag gaye....

meri baat sun AVANTIKA has di......

reason...doston aapko yaad hoga ki TWISTED DIMENSION me mai aur AVANTIKA kiss karne waale the ki tabhi AVANTIKA ke dimag me ek baat aayi jisse sun aur samajh maine AVANTIKA ko kiss nahi kiya tha...

toh wo baat ye thi ki AVANTIKA ke dimag me us waqt RONIT ka gum ghum raha tha aur jis lamhe me mai AVANTIKA ko kiss karne waala tha,ussi pal me AVANTIKA ke dimag me RONIT ka rota chehra aur ANJALI ki aatma ka tadapna mehsoos kiya....

ji haan doston,AVANTIKA ko maalum tha ki ANJALI zinda hai aur wo bhi SPIRIT FORM me.......kaise??ye thodi der me pata chal jaayega...

khair,jaise hi maine AVANTIKA ke dimag me upji RONIT aur ANJALI ki taswir ko mehsoos kiya,mai rook gaya.....

aur isiliye hi maine abhi tak AVANTIKA ko kiss nahi kiya tha.....

AVANTIKA ko hasta dekh maine usse kuch der tak ghura par fir mai bhi has diya..

wahin hum dono ke yun achanak hasne ka reason mere piche khade doston ko samajh me nahi aaya par unhone kuch kaha nahi...

ye toh thi humari baat,par humare saamne ka scene abhi bhi same tha....ANJALI aur RONIT ka kiss abhi bhi pure zor par tha aur shayad ye aur bohot der chalta par tabhi.......

ANJALI ki aatma jo ki solid form me thi,wo wapas transparent hone lagi jisse dekh AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA chownke...

wahin RONIT jo ki ANJALI ko pure shiddat se kiss kar raha tha aur ussi shiddat ki wajah se uski aankhen band thi,usse bhi jab dheere dheere ANJALI ke honthon ki chhuan ka ehsaas kam hota laga,toh usne bhi apni aakhen khol di....

aankhen khol jab RONIT thoda peeche hata toh usse bhi ANJALI ko yun wapas transparent form lete dekh jhatka laga.....

waise is parivartan se shocked toh khud ANJALI bhi thi.....

RONIT- yaar ye kya hua???ANJU wapas pehle jaise kaisi ho gayi???

MAI-tujhe is baat ka afsos hai ki ANJU wapas apne spirit form me chali gayi ya fir is baat ka gum hai ki teri kiss me rukawat aa gayi....

jahan meri baat sun AVANTIKA,AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA has diye wahin RONIT halka jhemp sa gaya aur ANJALI sharma gayi....

RONIT- bhai,mazak chhod aur bata naa ki ye wapas pehle jaisi kaise ho gayi???

MAI-jo solidity maine ANJALI ki aatma ko di thi,wo temporary thi...jaise hi us solidity ka time khatm hua,ANJALI wapas apne purane form me aa gayi....

RONIT- toh bhai,ANJU ke solid form ko permenent kar de naa....

AKSHAANT- haan,fir ANJALI ko body ki zaroorat hi nahi padegi....

MAI-aisa nahi ho sakta...har aatma kisi bhi insaani lok me uske sharir ke sahare hi reh sakti hai...

sharir hi aatma ka hardware hota hai,jisse chua jaa sakta hai...aur filhal ANJALI ka hardware matlab uska sharir usse alag hai..

aise me mai uski aatma ko uske sharir ke kaam me bas kuch der tke liye hi laa sakta hun..agar maine ANJALI ki is spirit form ko zyada der tak solid banaye rakha,toh us form ke saath saath ANJALI ka ye spirit form bhi hamesha ke liye khatm ho jaayega....

meri baat sun sab ek baar firse shocked ho gaye par tabhi RONIT ke dimag me ek sawal koundha aur.....

RONIT- hang on....tune abhi kaha ki ANJALI ka sharir filhal usse alag hai???iska kya matlab hai???ANJALI ki body toh jala di gayi hai naa!!!!

MAI-hmm...ab aaya naa mudde par....mai soch hi raha tha ki kaise ANJALI ko dekhkar tera dimag kaam karna band kar gaya hai???

waise sawal toh sabhi ke man me hai par sabse zyada kulbulahat is waqt SHAILA ke dimag me ho rahi hai,haina SHAILA???

meri baat sun pehle toh SHAILA hadbada gayi par fir....

SHAILA- haan VIKRAM...jab se maine ANJALI ko dekha hai,tabhi se mere dimag me najaane kitne hi sawalon ne bhagdadh machayi hui hai...

ANJALI zinda kaise hai????aur agar ye zinda hai toh fir ye ek aatma ke roop me kaise hai???iska sharir kahan gaya????

aur sabse mahatwapurn sawal ki ye is SHADOW WORLD me kaise fas gayi...

RONIT- nahi SHAILA....sabse important sawal ye hai ki jab ANJU zinda hai toh V.J ne hume bataya kyun nahi......????

RONIT ke sawal me ek narazgi thi jo hum sabne saaf mehsoos ki thi.....

MAI- sab batata hun.....par isse pehle tu mujhe mere do sawalon ka jawab de....

pehla sawal....ANJALI ke jaane ke baad in dedh saalon me kya tune kabhi bhi mujhse ANJALI zinda hai ki nahi,ye sawal pucha tha????

RONIT- ye kaisa sawal hai????ANJALI ke sharir ko khud hamare ghar waalon ne agni di thi...fir mai ye sawal kyun karta???

MAI-tu ye kaise keh sakta hai ki jis sharir ko agni di gayi thi,wo ANJALI ki hi thi....???

jis waqt us sharir ko agni di jaa rahi thi,tu toh khud koma me tha...aur sabse badi baat,BEELZEBUB aur SHAILA se yudh karte waqt ANJALI se pehle teri aakhen band hui thi toh tu ye kaise is natije par pahuncha ki tere aankh band karne ke baad un dono ne ANJALI ko maar diya hoga.....????

meri baat ya fir ye kahun ki mere tark ko sun RONIT hadbada gaya...wo jaanta tha mera tark apni jagah par bilkul sahi tha....

BEELZEBUB aur BHUVIKA se ladte waqt ANJALI se pehle uski aankhen band hui thi...

toh aise me uske behosh hone ke baad kya kya hua hoga,wo ye kaise bata sakta tha???

aur fir jab RONIT ko hosh aaya ye fir ye kahun ki maine usse hosh me laaya uske baad bhi uske dimag me ek baar bhi ye sawal nahi aaya ki kya ANJALI zinda ho sakti hai!!!!!

hosh me aane ke baad se hi RONIT ne sirf ANJALI ke jaane ka gum galat hi kiya tha...kabhi bhi uske dimag me ye vichar nahi aaya ki uske saath chhal bhi ho sakta hai...

aur is baare me usne mujhse kabhi baat bhi nahi ki...kabhi nahi pucha ki uski aankhen band hone ke baad kya kya hua tha????

mere pehle sawal aur us sawal ke baad mere diye tark ko sun RONIT ko apni bhul ka ehsaas ho gaya tha......par mai jaanta tha ki wo mere dusre sawal ko bhi sunana chahta tha...

RONIT-aur dusra sawal......

MAI- yaad karke bata ki jab se ANJALI hum se door hui aur tum sabne usse mara samajh liya,is dauran kya maine ek baar bhi ye baat kahi hai ki ANJALI mar chuki hai....

meri baat sun RONIT ko firse ek baar jhatka laga....sach hi toh tha,maine kabhi ye nahi kaha tha ki ANJALI mar chuki hai...

mere mooh se hamesha yahi nikla tha ki ANJALI HUMARE BEECH NAHI HAI....

mai aisa kyun kehta tha,ye ab RONIT ko samajh me aa raha tha aur saath hi meri sikhayi wo wo baat bhi uske zehen me ubharne lagi jab mai usse kehta tha ki shabdon ko hamesha dhyan se suna kar..

kyunki har shabd me hamare kisi na kisi sawal ka jawab chupa hua hota hai....

RONIT-oh shit....haan yaar,is taraf toh mera dhyan hi nahi gaya....

MAI- aur naahi AVANTIKA ki taraf....yaad hai jab tu AVANTIKA se college me mere baare me puchne gaya tha aur isne tujhe daanta tha tab isne bhi meri hi tarah tujhse baat ki thi aur ANJALI ke baare me baat karte hue isne bhi same baat ki thi...

isne ye nahi kaha tha ki ANJALI mar chuki hai.isne bhi yahi kaha tha ki ANJALI hamare beech nahi hai....

meri baat sun RONIT firse chownka...par is baar uske saath saath ANJALI bhi chownki thi....

RONIT- toh kya AVNI ko bhi ANJALI ke zinda hone ke baare me maalum tha????

MAI-ussi din college me isse is baare me pata chala tha....

meri baat sun RONIT fir se chownk gaya par isse pehle ki wo kuch puchta....

ANJALI-RONIT ko AVANTIKA ne daanta tha...!!!par kyun????aur RONIT ko V.J ke baare me aisa kya pata karna tha jo usse AVANTIKA ke paas jaana pada.....????

ANJALI ka sawaal sun sabko yaad aaya ki in dedh saalon me kya kya hua hai,is baare me ANJALI ko kuch bhi pata nahi hai???

aur isiliye.....

RONIT-ANJU...in dedh saalon me bohot kuch hua hai....aur in sab ghatnaon ki shuruat V.J ke COURIOUS WORLD me jaane ke baad shuru hua...

RONIT ke mooh se COURIOUS sun ANJALI fir chownki..usse yaad aaya ki ek baar maine usse aur RONIT ko is jagah ke baare me bataya tha....

ANJALI-COURIOUS!!!!par V.J toh ISLA gaya tha naa?????

RONIT- haan,par uske baad wo COURIOUS gaya tha...

iske baad RONIT ne ANJALI ke mere saath kya kya hua tha,wo sab batane laga...
jaise jaise RONIT ki baat aage badhi,ANJALI ke chehre par dard saaf dikhne laga...

aur ye jaankar ki mujhse mera astitv alag ho gaya tha aur us wajah se meri aur RONIT ke beech ladhayi hui,jiski wajah se mai ghar chhodkar chala gaya,uska dard aur badh gaya.....

jaise jaise mere,AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA ke saath jo jo hua wo sab RONIT batata gaya,waise waise ANJALI ki taklif badhti chali gayi aur isiliye.....

ANJALI turant mere paas aayi aur usne mujhe hug karne ki koshish ki par wahi hua jo RONIT ke saath hua tha...ANJALI ke haath mere sharir ke aar par ho gaye jisse ANJALI aur zyada udaas ho gayi....

MAI-udas kyun ho rahi hai???tu bhale hi abhi mujhe chu nahi sakti par tujhe feel karne ke liye mujhe kisi hug ki zaroorat nahi hai....

meri baat sun ANJALI ke chehre par ek fiki si muskaan aa gayi....

ANJALI ke dard ko RONIT ne mehsoos kiya aur isiliye.....

RONIT-waise tujhe ek breaking news dun??waise toh sabke liye ye purani khabar hai par tere liye ekdum fresh hai....

RONIT ki baat aur uski awaaz ki excitement sun ANJALI apne aankhon me sawal liye usse dekhne lagi...

RONIT-V.J aur AVANTIKA ab friends nahi balki ek COUPLE hain....

RONIT ki baat sun pehle toh ANJALI solid chownki par fir wo ekdum khushi se ucchal padi....ek pal me hi jaise ANJALI ka mood thik ho gaya tha....

ANJALI- mujhe pata tha ki ek naa ek din aisa zaroor hoga.....

ye bol ANJALI mujhe aur AVANTIKA ko hug karne ke liye ek baar firse aage badhi par...

MAI- rook jaa rook jaa..excitement me tu fir bhul gayi ki filhal tu spirit form me hai....

ANJALI-wo sab chhod,pehle ye bata ki pehle propose kisne kiya tha????

RONIT- arre jab inki kahani hi normal nahi hai toh fir inka propose kaise normal hoga??
sun kya hua tha....

ye bol RONIT ANJALI ko FOUNTAIN OF LIGHTS ke andar kya kya hua aur kaise AVANTIKA ne mujhe kiss kar propose kiya aur mujhe bachaya,batane laga....

RONIT ne ANJALI jab ye bataya ki mere astitv ke kho jaane se pehle kaise maine AVANTIKA ko LORD OF ANGELS banaya tha toh usse shock laga par uske agle hi pal uske dimag me kuch click kiya....

ANJALI-oh....toh isiliye mai tujh tak nahi pahunch paa rahi thi AVNI....

ANJALI ki baat sun sabko ek baar firse jhatka laga....

RONIT- nahi pahunch paa rahi thi matlab....!!!

ANJALI-jabse mai yahan kaid hun,tabse mai lagatar har waqt dhyan me hi baith tum me se kisi na kisi se contact karne ki koshish karti rehti hun..

par shayad is grah me me koi kawach jaise kuch laga hua hai,isiliye aisa karna bohot mushkil hai..

par kuch mahine lagatar koshish karne ke baad mai apni aantarik ujra ko is jagah se baahar nikalne me kaamiyab huyi..

pehle maine V.J se contact karne ki koshish ki par nahi kar paayi...

aur jaisa ki tumne bataya ki V.J ke saath kya hua tha isiliye mujhe lagta hai ki shayad iska reason ASMODEUS ka V.J ke andar behta khoon tha jiski wajah se mai is tak nahi pahunch paa rahi thi...

uske baad maine tujhse contact karne ki koshish ki aur meri aantarik shakti ne tujhe khoj bhi liya tha par najane kaise tujhtak pahunchne se pehle hi meri aantarik shakti ko ek jhatka laga aur usse wapas loutna pada.....

ANJALI ki baat sun RONIT ko ek baar firse jhatka laga...wo kuch kehta isse pehle hi....

MAI-wo maine kiya tha..teri aantarik shakti ko maine RONIT tak pahunchne se pehle rok diya tha....

meri baat sun RONIT ke saath saath ANJALI ko bhi jhatka laga...

ANJALI- tune!!!par kyun aur kaise???tune toh apna astitv kho diya tha naa...

MAI- astitv khoya tha,shaktiyan nahi....tu zinda hai,ya fir ye kahun ki tu mar hi nahi sakti,ye mai achi tarah jaanta tha..

mai ye bhi jaanta tha ki tu humsab ko contact karne ki koshish bhi zaroor karegi,isiliye hi maine RONIT ke chaaron taraf ek aisi shield ka nirman kiya jisse teri awaaz is tak naa pahunch paaye...

MAI-par iske bawajud ANJU ne haar nahi maani..kyun ANJU??

ANJALI-haan...RONIT ke baad maine AVANTIKA se contact karne ki koshish ki...

par mai ek baar firse naakamiyab rahi....meri antarik shakti kamsekam RONIT ke paas toh pahunchi thi,par AVANTIKA ke maamle me aisa bhi nahi ho paaya....

meri aantarik shakti AVANTIKA ko dekh tak nahi paayi aur iska reason mujhe ab samajh me aa raha hai....

shayad V.J ki urja ki wajah se AVNI tak pahuncha hi nahi jaa sakta tha...haina???

ANJALI ne ye sawal mujhe dekhkar pucha tha jispar maine haan me apna sir hilaya....

ANJALI- AVANTIKA tak naa pahunch pane ke baad maine SHANAYA ko target kiya par tab bhi mai fail hui...

shayad AVANTIKA ki urja ki wajah se uske pariwar ke log bhi ek cover ke andar aa gaye the...

itni koshishon ke baad bhi lagatar fail hone ki wajah se mai kaafi nirash ho gayi thi..kuch waqt tak maine apni koshishen chhod di thi par fir....

MAI- tujhe ek aur chehre ka khayal aaya jisse jud kar tu humse contact kar sakti thi....

AVANTIKA- aur ye chehra tha SHAIFALI ka.....

meri baat ko AVANTIKA ne pura kiya jisse sun RONIT ko ab tak ka sabse bada jhatka laga....

RONIT- what???SHAIFALI?????

AVANTIKA- haan SHAIFALI...ANJALI jaanti thi ki humare group me koi bhi baahar ka banda allow nahi hai par SHAIFALI hi ek aisi ladki hai jisse hum regularly baat karte hain...

yaad hai abhi V.J ne kuch der pehle bataya tha ki jab meri tujhse behes hui thi,ussi din mujhe ANJALI ki baare me pata chala tha...

AVANTIKA ki baat par RONIT ne haan me apna sir hilaya....

AVANTIKA- tujhe yaad hai jab us din tu,SHANAYA aur SHAIFALI canteen me baithe hue the,us waqt SHAIFALI ke sir me dard tha....

RONIT- haan....

AVANTIKA-wo dard usse DELHI se hi ho raha tha wo dard bhi ANJALI ki hi wajah se tha...

jis waqt SHAIFALI DELHI me thi aur us restuarant me gayi thi jahan V.J job karta tha,thik tabhi ANJALI ne apni aantarik shakti ko SHAIFALI ke dimag ke andar pahunchaya tha...

aur jab SHAIFALI ne V.J ko us resturant me dekha,toh uske saath saath ANJALI ko bhi V.J ka abhaas hua tha...

par isse pehle ki SHAIFALI ke through ANJALI V.J se kuch kehti,V.J ne ANJALI ki aantarik shakti ko SHAIFALI ke dimag se nikal baahar fek diya....

iska reason bhi yahi thi ki V.J nahi chahta tha ki ASMODEUS ko ye bhanak lage ki V.J ko pata hai ki ANJALI zinda hai....

SHAIFALI ke andar tum sab jaisi taakat toh hai nahi,wo ek normal ladki hai...

issi wajah se jab ANJALI ki aantarik shakti ne usse judne ki koshish ki toh SHAIFALI ke dimag par extra presurre pada jiski wajah se uske sir me dard hone laga tha..

SHAFALI ussi raat DELHI se MUMBAI aa gayi thi aur jab next day wo college aayi toh uske sir me tab bhi dard tha...

aur jab mera haath uske haath pe touch hua toh mujhe jhatka laga..

kyunki V.J ki urja ki wajah se usse chhute hi mujhe uske saath ek din pehle kya hua tha,wo pata chal chuka tha....

ANJALI zinda hai ye jaankar muhe kitni khushi hui thi,ye mai bata nahi sakti thi..

aur isiliye hi tujhse behes karte waqt maine ye nahi kaha tha ki ANJALI mar chuki hai ba;lki ye kaha tha ki ANJALI humare beech me nahi hai.....

RONIT- oh betaji....itna lamba chowda game chal raha tha aur saala mujhe pata tak nahi tha....

MAI- wo isiliye kyunki jahan buddhi lagani chahiye wahan bhi tu dil se kaam chala raha tha....

waise ANJU ne iske baad bhi ek aur koshish ki thi..kyun ANJU????

ANJALI- haan....maine ek baar firse RONIT se judne ki koshish ki par firse fail hui....

MAI- haan par puri tarah se nahi....

meri baat ANJALI ko samajh me nahi aayi...

ANJALI- matlab???

MAI-matlab ye ki bhale hi teri aantarik shakti is tak nahi pahunch paayi thi,par haan,teri ek cheez thi jo iske andar pahunch gayi thi...

AVANTIKA- pahunch gayi thi ya fir tumne pahuncha di thi....

MAI- ek hi baat hai...

ANJALI- tum dono kya baat kar rahe ho,mujhe toh kuch samajh me nahi aa raha hai....!!!!!

RONIT- toh mujhe kuch kahan samajh me aa raha hai...aur V.J tune ANJALI ko mujhtak pahunchne se kyun roka????

MAI- yaad kar tu us waqt kis condition me tha...ANJALI ka naam sunte hi teri condition ajeeb ho jaati thi...

agar ANJALI ki aantarik shakti ki awaaz tujh tak pahunch bhi jaati naa,toh usse tu khush nahi hota balki paagal ho jaata....

tu us waqt stable nahi tha aur aisa kuch hone par tu samajhta toh kuch nahi ulta tera dard aur badh jaata jisse tujhe hi nuksaan hota...

RONIT-arre waah,aise kaise???

MAI=proof dun???

meri baat sun RONIT hadbada gaya kyunki wo jaanta tha ki agar maine kuch kaha hai toh yunhi toh kaha nahi hoga....

MAI-sun....yaad hai,jab hum sab BHUVIKA ko lekar MONSLICKEL se wapas aaye the..

tab jab bhi BHUVIKA tujhse kuch kehne ki koshish karti,usse pehle hi tu usse maar deta tha...

usne kaafi baar koshish ki par har baar tune bina uski baat sune usse maarta raha...

aur reason...ANJALI....tujhe bas ek baat samajh aa rahi thi aur wo ye ki BHUVIKA ne ANJALI ko maara hai..aur isiliye tu andha dhund usse peete jaa raha tha..

tune ek baar bhi nahi socha ki BHUVIKA me us waqt tujhse bohot zyada taakat thi uske baad bhi wo chup chaap tujhse maar khaa rahi thi...

wo bas tujhse kuch kehna chah rahi thi par tune usse kuch bhi kehne hi nahi diya..

uske baad bhi jaate jaate usne kuch kaha tha,wo baat yaad hai????

meri baat sun RONIT ko wo din yaad aa raha tha jab wo BHUVIKA ko maar raha tha aur itni zyada shaktishali hone ke baawajud bhi BHUVIKA ne usse kuch nahi kiya tha....

aur aakhir me mere sawal ko sun RONIT ko BHUVIKA ki kahi aakhri baat yaad aayi jo usne RONIT se kahi thi....

MAI MAAFI KE KAABIL TOH NAHI PAR FIR BHI MAI TUMHARI MAAFI KA INTAZAR KARUNGI....

is baat ke yaad aate hi RONIT ke dimag ki batti jali....

RONIT- oh teriki..toh wo is baare me baatkar rahi thi...

MAI- hmm..maafi ke kaabil naa hokar bhi maafi ka intazar karna....ye koi kyun kahega??wo jaanti thi ki ek na ek din tu ANJALI se zaroor milega aur wo chahti thi ki jab bhi aisa ho,toh tu usse maaf karde....

RONIT-beda garg...saala mai bhi ek number ka tube light hun.....

jahan RONIT ki baat sun hum sab has diye wahin ANJALI kuch aur hi soch rahi thi jisse maine dekh liya aur samajh bhi liya...

MAI-kya soch rahi hai ANJU???

ANJALI- yahi ki BHUVIKA ne RONIT se maafi kyun maangi???wo toh ek devil hai naa aur humare saath jo bhi hua uska main reason bhi....

MAI- nahi ANJU..BHUVIKA bhi ASMODEUS ka bas ek pyada thi....

Fir maine ANJALI ko BHUVIKA aur uski sachayi ke baare me sab kuch bataya jisse sun ANJALI ki aankhen fati ki fati rah gayi...

ANJALI- tum dono bhaiyon ke dimag hai ki kya hain??kya kya soch lete ho yaar..????

wo toh acha hai ki ek balance bigadta hai toh dusra us balance ko wapas thik karta hai..

agar dono hi balance bigadne me lag jaate toh ho jaana tha sabka kalyaan...

ANJALI ki baat sun sabhi has diye...

SHAILA- par main question toh reh hi gaya naa....aur wo ye ki ANJALI ko BHUVIKA aur BEELZEBUB ne zinda kaise chhoda...aur ANJALI yahan kaise aayi???

SHAILA ke sawal par maine koi jawab nahi diya bas apna haath aage kar diya....

mere haath aage karte hi hum sabke saamne hawa me ek film jaisa chalne laga..

ye film aur kuch nahi wahi scene tha jisme BEELZEBUB aur BHUVIKA ne RONIT aur ANJALI par humla kiya tha...

us scene ko chalte dekh sabhi samajh gaye ki asal me kya hua tha,wo un sabko dikhne wala hai....

toh hua ye tha ki RONIT ko toh BEELZEBUB ne bol diya tha ki tujhe aisi saza denge jisse tu jite ji mar jaayega...

aur wo saza thi ANJALI ki mout...aur isiliye BHUVIKA ne ANJALI ke pet me ek talwar ghussa di thi....

RONIT already behosh ho chuka tha...talwar pet me ghudte hi ANJALI niche zamin par gir gayi aur girne ke kuch hi lamho ke baad uski aatma uske sharir se baahar nikal aayi...

aam aadmi aatma ko sharir se nikalta hua nahi dekh sakta par BEELLZEBUB aur BHUVIKA ki baat alag thi..

un dono ne ANJALI ki atma ko uske sharir ko chhod baahar aate dekha aur ye dekhkar wo khush ho gaye...

jahan ek taraf BEELZEBUB aur BHUVIKA haste hue ANJALI ki aatma ko dekh rahe the wahin ANJALI ki aatma behad udaas thi....

par kuch der baad BEELZEBUB aur BHUVIKA ki khushi shock me badal gayi...

reason....sharir se nikal ANJALI ki aatma ko prithvi lok se gayab ho jaana chahiye tha par aisa hua nahi...

wo wahin apne sharir ke paas khadi rahi jisse dekh dono chownke the....

waise shock toh ANJALI ki aatma ko bhi laga tha..wo bhi samajh nahi paa rahi thi ki jab uska jeevan kaal khatm ho chuka hai toh wo wahan par kya kar rahi hai....???

BEELZEBUB aur BHUVIKA is baare me soch hi rahe the ki tabhi us jagah par ASMODEUS ki awaaz gunji......

ASMODEUS-ANJALI ko maara nahi jaa sakta.......

ASMODEUS ki awaaz aur usme batayi baat ko sun BEELZEBUB,BHUVIKA aur ANJALI ki aatma shocked ho gaye....

koi kuch kehta tabhi ek baar firse ASMODEUS ki awaaz gunj gayi....

ASMODEUS-VIKRAM ne jaane se pehle ANJALI aur RONIT ko khudke saath jod liya hai....

jab tak VIKRAM in dono ko khudse alag nahi karta ya fir wo khud nahi mar jaata tab tak in dono me se kisi ko bhi maara nahi jaa sakta....

ASMODEUS ki baat sun BEELLZEBUB ki aur khaas kar BHUVIKA ki jal gayi thi....

BHUVIKA- ye VIKRAM jaate jaate bhi hume hara gaya...

ASMODEUS aur fir BHUVIKA ki baat sun ANJALI ki aatma has padi jisse dekh BHUVIKA aur BEELZEBUB ko aur ghussa aa gaya...

ANJALI-tum dono ne ye soch bhi kaise liya tha ki VIKRAM tum jaiso se haar sakta hai....socho,bina saamne aaye VIKRAM ne tum dono ki le li toh jab wo saamne aayega toh tum dono ka kya haal hoga....

ANJALI ki baat sun BHUVIKA ek baar firse naya SPELL bolne jaa rahi thi ki itne me....

ASMODEUS-BHUVIKA,tum turant ANJALI ki aatma ko lekar yahan aao aur BEELZEBUB,jo jagah maine tumhare mastishk me bheji hai,tum ANJALI ke sharir ko lekar wahan jaao..

par usse pehle ANJALI ke sharir ki ek nakal (CLONE ) banakar ek vaahan me uski aur RONIT ke sharir ko daal do aur us vahan ko is jagah se neeche fek do....

ASMODEUS ki baat naa toh BEELZEBUB kaat sakta tha aur naahi BHUVIKA...

jahan ek taraf ANJALI ki aatma ko saath lekar BHUVIKA ASMODEUS ke paas chali gayi jahan usse ASMODEUS ne ANJALI ki aatma ko SHADOW WORLD me kaid karne ka aadesh diya...

(aapko yaad hoga doston ki BHUVIKA ek baar beech me SHADOW WORLD aayi thi aur yahan aane aur SAMAY SANCHALKON se milne ke baad wo aur BEELZEBUB ek dusri jagah ud nikle the..

wo ANJALI ke spirit se hi milne aaye the.....)

wahin BEELZEBUB ne ASMODEUS ke aadeshanusaar pahle ANJALI ke baalon se uske jaisi hi ek nakal banayi aur us nakal aur RONIT ke sharir ko ek vaahan me daal neeche dhakel diya..

uske baad BEELZEBUB ANJALI ki body ko lekar gayab ho gaya....

pura scene khatm hote hi saamne hawa me chal rahi picture gayab ho gayi....

par jaise hi wo picture gayab hui,RONIT turant mere gale lag gaya....

RONIT- yaar,tune khud itni mushkilon me ghire rehne ke baawajud meri aur ANJALI ki safety par dhyan rakh hua tha aur maine tujhe kya kya nahi kaha tha...

MAI- ab tu toh hai hi gadha..aur gadhe ki baat ka kya bura maanana....???

meri baat par sabke saath RONIT bhi has diya.....

MAI-ab toh saare sawalon ke jawab mil gaye naa....!!!!

SHAILA- ek bacha hai....

AKSHAANT- tumhare sawal kabhi khatm hue hai bhala???

SHAILA- kya kaha???

AKSHAANT- nahi kuch nahi..wo toh mai puch raha tha ki ab kaun sa mahatwapurn sawal bach gaya hai???

AKSHAANT ke hadbadahat kodekh hum sab firse has diye....

SHAILA-BEELZEBUB ANJALI ke sharir lekar kahan gaya????

RONIT- arre haan yaar...ye toh main sawal hai....ANJU ki body hai kahan???

MAI- sab pata chal jaayega,par pehle yahan se toh nikle..tu toh ANJALI se sirf dedh saal hi alag raha hai par SAMAY SANCHALAKON ko toh apne grah se najaane kitni sadiyon se door kar diya gaya hain...

ab waqt aa gaya hai ki unhe unka grah aur unka samman wapas kar diya jaaye...

meri baat par sabne sehmati dikhayi aur agle hi pal....

mai sabhi ko lekar hawa me uth chuka tha aur hum sab wapas SAMAY SANCHALOKON ke paas jaane ke liye ud chale.....

AVANTIKA-V.J....wo dekho,SAMAY SANCHALAKON ke neeche ek baar fir se aag jal uthi hai....

maine toh ye pehle hi dekh liya tha par mere saare dost jo ek dusre se baat kar rahe the,AVANTIKA ki baat sunkar un sabki nazar bhi humse thodi door aage zameen par khade SAMAY SANCHALAKON par padi aur un sabko aag ki tapan se tadapte hue dekh hum sabhi ko bohot dukh hua....

MAI-bas kuch der aur..uske baad in sabko khudko diye gaye is avishaap se mukti mil jaayegi...

yahan hum baat karte hue SAMAY SANCHALAKON ke paas pahunch chuke the wahin aag ki tapan se milte dard se tadapte hue un sabki nazar mujhpar padi toh us dard me bhi un sab ki aankhen chamak uthi...

ye pehli baar hua hoga jab itne dard me bhi SAMAY SANCHALAK khush the..aur hote bhi kyu naa,mujhe apne saamne dekh wo sab samajh gaye the ki unki taklif ke din khatm ho chuke hain....

WAHIN SHADOW WORLD KE BAAHAR......

FATHER,VIKRAM ANJALI se mil wapas SHADOWS ke paas aa chuke hain...ab wo kisi bhi waqt un sabko lekar is grah ke kaid ko todte hue baahar aa sakte hain....

ASMODEUS jo ki BEELZEBUB ke saath tab se hi SHADOW WORLD ke baahar pahunch chuka tha,jabse VIKRAM and friends is grah ke andar gaye the,usne BEELZEBUB ki baat par kuch kahe bina apne seene ke upar apna haath rakha aur aisa karte hi....

uske seene ke beeche ek tez roshni hui aur us roshni ke beech se PARIVARTAK baahar aa gaya....

PARIVARTAK ke haath me aate hi ASMODEUS ne usse apne saamne rakh diya...PARIVARTAK ko saamne rakh ASMODEUS ne uske madhya bhaag ko jisse hokar anginat rekhayen charon taraf bani hui thi,usse dabaya...

ASMODEUS ke aisa karte hi PARIVARTAK ke madhya bhaag me ek roshni ubhri aur fir wo roshni rays ke roop me un anginat rekhayon se hoti hui bramhaand ke har jeevan deyi grahon se khudko jodne lagi...

kuch hi palon me bramhaand ka har jeevendeyi grah PARIVARTAK se jud gaya tha jisse dekh ASMODEUS aur BEELZEBUB ke chehre par ek muskaan naach gayi....

BACK TO SHADOW WORLD:-

MAI- CHALEN......

SAMAY SANCHALAKON ke saamne pahunchkar jab maine ye kaha toh un sabhi ne bas mere aage haath jod diye maano keh rahe hon ki ab hume is kasht daayi shraapit jeeven se mukti dila dijiye....

MAI- bas ek kaam aur bacha hai..pehle wo kar lete hain...

RONIT- abbe ab aur kya bacha hai???

MAI-tumhari shaktiyon ko aazmane ka waqt aa chuka hai doston....

meri baat kisi ke bhi samajh me nahi aayi...par isse pehle ki koi kuch puchta...

MAI-ABRAXAS,ABBADON,LILITHA......saamne aao.....

meri baat sun wahan moujud har kisi ko shock laga tha....

wahin ABRAXAS,LILITHA aur ABBADON jo ki SAMAY SANCHALAKON ke hi bhesh me sabse peeche khade hue the,mere nmooh se apna apna naam sun unke toh jaise pran hi kooch kar gaye the...

par ab wo kar bhi kya sakte the,isiliye apne asli roop me badalkar wo dheere dheere saamne aane lage...

doston aapko yaad hoga ki jab mai SHADOW WORLD me aaya tha aus sabhi SAMAY SANCHALAK meri taraf ghume the tab mere chehre par ek muskaan aa gayi thi...

wo isiliye hi aayi thi kyunki maine SAMAY SANCHALAKON ke beech bhesh badle in teeno DEVILS ko pehchaan liya tha....

wahin apne beech 3 DEVILS ko dekh sabhi SAMAY SANCHALAK shocked ho gaye the....

aur unke jaise hi haal AVANTIKA aur mere doston ka bhi tha....

AVANTIKA- ye yahan kab aaye???

MAI- jabse ANJALI yahan hai tabse....

jis bandhan ko hum sab todkar yahan aaye the,wo in teeno ne hi banaya tha..

par uske baad ye teeno behosh ho gaye the..par kuch waqt baad jab ye teeno hosh me aaye toh ASMODEUS ne inhe yahan SHADOW WORLD me ANJALI pe nazar rakhne ka kaam soumpa..

aur tabhi se ye SHADOWS ke bhesh me yahan base hue hain....

ab tak wo teeno DEVILS hum sab ke saamne pahunch chuke the aur jab unhone mujhe apne doston se baat karte hue dekha toh unhone mujhpar waar karne ki sochi aur isiliye....

teeno ne teen agni gole meri taraf feke jo ki behad tez gati se meri taraf badh chale...

mere dost toh meri baat sunane me busy the par is waar ko SAMAY SANCHALAKON ne dekh liya...

par isse pehle ki wo mujhe sachet kar paate,wo gole mere ek dum kareeb pahunch chuke the aur isiliye.....

ek ke baad wo teeno gole mujhse takraye aur fir......

AAHHHH......

AHHHHH......

AHHHHH......

ye dard bhari karaah un teeno DEVILS ke mooh se nikli thi aur reason.....

mujhse takrate hi wo aag ke gole wapas ghum gaye aur 10 guna tezi se jaakar wapas un teeno DEVILS se takraye jisse wo teeno sambhal nahi paaye aur ek ek karaah bharte hue peeche ki taraf jaakar gire....

MAI- saara dimag khudke paas rakh sirf bewakufun ki hi toli bana rakhi hai kya mere BHAI ne....

meri baat sun wahan khada har koi has diya....

RONIT- abbe chutiyon,kya soch kar V.J par waar kiya be tum teeno ne....ab tumhare jaise bhi isse chot pahunchane lage toh fir ho gaya kalyan.....

ab tak teeno DEVILS khade ho chuke the aur apne anjaam ka soch dar ke maare kaamp rahe the...

MAI-chaahun toh ek pal me hi tum teeno ki kaali aatmaon ko tumhare sharir se alag kar us kaali duniya me bhej dun jahan dard aur taklif ke siwa kuch nahi,par mai aisa karunga nahi...

meri baat sun wo teeno DEVILS khush ho gaye par tabhi...

MAI-khush kyun ho rahe ho??maine kaha ki mai aisa nahi karunga,ye toh nahi kaha ki aisa hoga hi nahi....

tumhe mai nahi RONIT,AKHSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA saza denge....

jahan meri baat sun wo teeno DEVILS khush ho gaye wahin ANJALI ko ho gayi tention...

DEVILS isiliye khush ho gaye kyunki unhe laga ki RONIT aur baaki teeno ko wo yunhi hara denge wahin ANJALI ko ye dar satane laga ki agar mere dost un DEVILS se lade toh anjaam wahi hoga jo uska aur RONIT ka hua tha jab wo dono BEELZEBUB aur BHUVIKA se lade the aur isiliye....

ANJALI-V.J ye kya bol raha hai...ye chaaron sirf yoddha hain,aur wo teeno kaali shaktiyon ke rakhwaale..un sabke paas kaali shaktiyon ka bhandaar hai...

kya tujhe yaad nahi ki mere aur RONIT ke saath kya hua tha???fir bhi tu inhe un teeno se ladwa raha hai...

ANJALI ki baat sun un teen DEVILS ko laga ki kahin mai apna irada badal naa dun aur isiliye....

ABBADON-hume manzoor hai..par tumhe bhi vaada karna hoga ki agar hum teeno jeete toh tum hume kuch nahi karoge....

MAI- tumhe lagta hai ki tum jeetoge..chalo,mai tumhe ek aur rihayat deta hun,agar tum teeno me se koi bhi mere doston ke saamne 2 minute se zyada tik gaya tab bhi mai tum teeno ko chhod dunga...

meri baat sun jahan wo teeno DEVILS khush ho gaye wahin ANJALI ki tention aur badh gayi....wo kuch kehti isse pehle hi AVANTIKA ne uske kandhe par haath rakha aur...

AVANTIKA- bharosa rakh...tu itna toh jaanti hai naa ki V.J kuch bhi yunhi nahi kehta...so relax....

AVANTIKA ki baat aur uske aankhon me dikh rahe bharose ko dekh ANJALI chup zaroor ho gayi par tention uske chehre par ab bhi dikh raha tha....

mere dost jo meri baat sun andar hi andar behad khush ho rahe the,wo mere aage aa gaye...

wahin un teeno DEVILS ne bhi apne apne man me awahan kar ek ek jaaduyi astra apne haathon me prakat kar liya tha....

par isse pehle ki wo teeno DEVILS un astron ka prayog karte....

SHAKTI BANDHAM

POWER CONFINEMENT

BANDHAN NITAMAYATI

CONFINEMENT SUFFOCATION

pehle SPELL AKSHAANT,SHAILA aur MOKALSAR ne kaha tha ur dusra SPELL RONIT ne...

pehle SPELL ke prabhav me aate hi un teeno DEVILS ki body akadne lagi aur kuch hi palon me wo teeno ek jagah jad hokar reh gaye the..

wo teeno hil tak nahi paa rahe the...wahin RONIT ke dwara uccharit SPELL ke pravhav me aate hi wo bandhan jisme teeno DEVILS jakad chuke the,ab aur kasne lagi aur dekhte hi dekhte wo bandhan itne kasne lage ki....

AAHHHH........

AHHHHHH..........

AHHHHHHHHH............

in dard bhari karahon ke saath saath un teeno DEVILS ke sharir se unka kaaa khun bhi nikalne laga tha..

un teeno ki aankhon me dard aur avishwas ki rekhayen saaf dekhi jaa sakti thi...waise shocked toh un teeno DEVILS se kahin zyada ANJALI thi.....

usse yakin hi nahi ho raha tha ki RONIT ne aur uske baaki ke teen doston ne un teeno DEVILS ko hara diya tha aur wo bhi itne kam waqt me...

aur is shock me aur izafa hua jab....

RONIT-PRANGHAATH

KILL

RONIT ke dwara bole gaye is SPELL ke saath hi uske haathon se teen gaadhi white rays nikli aur sidhe jaakar un teeno DEVILS se takrayi aur aisa hone ke agle hi pal.....

AAHHHHH....AHHHHHH......AHHHHH..........

ek karn bhedi cheekh ke saath un teeno DEVILS ke sharir blast ho chuke the....

mere doston ke is parakram ko dekh jahan sabhi SAMAY SANCHALAK khush ho gaye the wahin is scene ko dekh ANJALI ka shocked hona toh banta tha naa....

jahan ek DEVILS se ladhna tak mushkil hota hai,wahan RONIT ne ek hi waar me teen teen DEVILS ko khatm kar diya tha....

wo fati aankhon se RONIT aur baaki teeno ko dekh rahi thi..wo waise hi khadi rehti par tabhi uske kandho par mera hath pada jisse wo hosh me aayi...

ANJALI- ye in chaaron ne kaise kya???aur RONIT.....tune toh ek hi waar me un teeno DEVILS ko maar diya..i mean howzz this even possible....

RONIT- every thing is possible baby.....in dedh salon me hum sabke saath sirf bura hi nahi hua hai,balki kuch acha hi hua hai..

jo tune abhi dekha,wo un acchi chizon me se ek tha.....

iske baad RONIT ne hamare MIRRORS WORLD ke adventure ke baare me bataya aur saath hi YELUPTUS me kaise un sabne apni shaktiyon ko control kiya,wo kissa bhi sunaya jisse sun ANJALI ki khushi ka thikana na raha.....

ANJALI-shit yaar,maine kya kya miss kar diya..

ANJALI ne is baat ko aisi funny tone me kahi ki hum sab has diye.....

MAI-ab chalen..waise bhi kaafi waqt guzar chuka hai....

meri baat par sabhi ne sehmati jatayi....

maine apne seene par ek baar firse haath rakha aur agle hi pal mere seene se hote hue meri SWORD baahar aa gayi....

meri SWORD ko dekh SAMAY SANCHALAKON ne apna apna sir ek baar firse jhuka liya tha...

ANJALI- yahi wo SWORD hai naa jisse tune MIRRORS WORLD se haasil kiya tha...

RONIT- haan yahi hai..aur issiki madad sei V.J ne DEVILS ke bandhan ko toda tha...par V.J,iski abhi kya zaroorat....

is world ke upar jo salakhen thi,usse toh tune tod diya tha naa...

MAI-toda nahi khola tha par humare andar aate hi wo firse pehli jaisi ho gayi hongi aur ab usse kholne ka bas ek hi tarika hai aur wo ye ki mai usse tod dun....

AISA KARNE KA SOCHNA BHI MAT........

abhi koi kuch kehta usse pehle hi pure SHADOW WORLD me ye awaaz gunj gayi jisse sun sab shocked ho gaye par sabse zyada shocked mai tha aur wo isiliye kyunki mai is aawaz ke maalik ko pehchanta tha....

MAI-ASMODEUS............

jahan mere mooh se ASMODEUS sun AVANTIKA,mere dost aur SAMAY SANCHALAK shocked hue wahin........

HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA............

vatavaran me ASMODEUS ki hasi gunj uthi jisse sun hum sab har jagah dekhne lage par ASMODEUS kahin nazar nahi aaya..

baakiyon ko chhodo,mujhe tak wo dikha nahi.....

hum sab yahan wahan dekh hi rahe the ki tabhi....

ASMODEUS-mai wahan hun hi nahi toh dikhunga kaise???mai grah se baahar hun,bas meri awaaz is grah ke andar pahunchkar rahi hai...

waise bhi jis grah me tum sab ho,wo mera banaya gaya kaaragar hai,aur apne hi banaye kaaragar me mai kyun kaid rahun????

aur VIKRAM,tum bhi mujhe isiliye nahi dekh paa rahe ho kyunki maine is grah ko aisa banaya hai ki iske andar rehkar antariksh me nahi dekha jaa sakta.....

khair,mai kya keh raha tha???haan,VIKRAM mere BHAI,tum apni jis mahashaktishali SWORD ka istamal kar is grah roopi jail ko todne jaa rahe the,usse wapas apne andar sama lo....

kyunki agar tumne us SWORD ka prayog kiya,toh ye grah numa karagar toh zaroor tutega,par uske saath saath pura bramhaand bhi khatm ho jaayegaa......

ASMODEUS ki baat sun hum sab shocked ho gaye....

ASMODEUS-PARIVARTAK ko toh bhule nahi hoge...wahi PARIVARTAK jo un sab ki milkiyat hai jinhe is garh numa kaid se chhudaane tum yahan aaye ho...

wahi PARIVARTAK jisne tumhari aur tumhare chahne waalon ki zindagi ko pura ghuma diya tha,aur aaj fir se wahi hone waala hai....

maine ussi PARIVARTAK ki kirano se usse is grah aur is grah ke saath saath pure bramhaand ke har jeevendeyi grah se jod diya hai...

isiliye agar tumne is grah ko todne ki koshish ki,toh iske saath saath isse juda hua har grah nasht ho jaayega.....

ASMODEUS ki baat sun hum sabka dimag chakra gaya tha....

yahi haal SAMAY SANCHALAKON ka bhi tha....wo sab jaante the ki ASMODEUS ne jo bhi kaha hai,wo shat pratishat sach hai...

agar maine is grah numa karaagar ko toda,toh iske saath saath bramhaand ka har jeevendeyi grah khatm ho jaayega aur saath hi khatm ho jaayega un grahon me basne waala jeeven.....

mujhe dekh jo nayi ummid SAMAY SANCHALAKON ke man me jagi thi,wo firse dhumil hone lagi thi......

AVANTIKA- ab kya karenge V.J????is kaid se baahar kaise niklenge????

MAI- pata nahi AVANTIKA???aisa kuch bhi ho jayega,ye maine socha nahi tha....

HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA.....

jaisi hi meri baat khatm huyi,ek baar firse har taraf ASMODEUS ki hasi gunj uthi....

ASMODEUS- VIKRAM....LORF OF ANGELS............kitne afsos ki baat hai ki itni shaktiyan itni durdarshita hone ke baawjud tum ek hi daav ko do do baar nahi samajh paaye...

issi daav se maine tumhe COURIOUS me bhi haraya tha aur aaj fir tum issi daav se haar gaye ho......

HAAR AUR JEET KA FAISLA TUMNE ITNI JALDI KAISE KAR LIYA.....?????

apni baat keh ASMODEUS ek baar firse hasne waala tha ki tabhi ek baar firse har taraf ek awaaz gunj uthi jisse sunkar ASMODEUS aur BEELZEBUB shocked ho gaye..

waise shocked toh mai,AVANTIKA,mere dost aur SAMAY SANCHALAK bhi hue the...

REASON.....jo awaaz abhi abhi gunji wo aur kisi ki nahi balki MERI thi......

AVANTIKA-V.J,ye toh tumhari awaaz hai naa???par ye toh is planet ke baahar se aa rahi hai???

RONIT- bhai ab ye kya maayajaal hai????

MAI- yaar mujhe khud nahi maalum ki kya ho raha hai???

yahan neeche sabhi shocked haalat me the aur wahin baahar ASMODEUS aur BEELZEBIUB ki bhi same condition thi...

sab apne apne soch me goom the ki tabhi.....

ASMODEUS se kuch door uske saamne ek dhuan uthne laga aur jaise jaise us dhuen ne roop lena shuru kiya,ASMODEUS aur BEELZEBUB ki aankhen badi hone lagi...

par iske saath saath ek aur cheez bhi hui thi....aur ye chiz SHADOW WORLD ke andar hui thi...aur wo ye thi ki jaise hi ASMODEUS ke saamne uthe dhuen ne roop lena shuru kiya,thik ussi waqt....

AVANTIKA-V.JJJJJ..........

AVANTIKA ki cheekh sun sabka dhyan uski taraf gaya aur wahan jo ho raha tha wo dekh,sabhi ki aakhen badi ho gayi....

toh hua ye ki jaise jaise ASMODEUS ke saamne uthe dhuen ne roop lena shuru kiya waise waise mera roop dhuen me badalne laga....

aur jaise hi ASMODEUS ke saamne uthte dhuen ka roop pura hua,mai dhuen me badal gayab ho chuka tha...

ye sab hota dekh AVANTIKA,SAMAY SANCHALAK aur mere dost hadh se zyada shocked ho gaye....

wahin SHADOW WORLD ke baahar jaise hi us dhuen ne pura roop liya,toh ASMODEUS aur BEELZEBUB ki bhi aankhen badi ho gayi..aur ussi shock me ASMODEUS ke mooh se nikla...

ASMODEUS-VIKRAM......TUM?????

ASMDODEUS ki baat sun mai muskura diya........

MAI-tumhe yun hairan pareshan dekh acha laga....

meri baat sunne ke baad bhi ASMODEUS ne kuch nahi kaha..wo bas mujhe dekhe hi jaa raha tha....uski aankhon me jigyasa saaf dikh rahi thi aur isiliye.....

MAI-tumne tumhara purana daav ek baar firse mujhpar chalane ki sochi toh maine bhi tumhara hi daav tum par aazmaane ki sochi...

nahi samjhe....tumhara wahi daav jisse istemaal kar tumne mujhe ISLA me haraya tha...

BHRAM MAAYA.....ek adbhudh maaya....ek aisa SPELL jisse khudke ek aise CLONE ko banaya jaata hai jisse khud bhi nahi pata hota ki wo ek CLONE hai...
(UPDATE-89)

us CLONE ke andar apne asli roop ke saare talent,saari yaadein,matlab sab kuch hota hai.....

ek aisa SPELL jiske baare me is bramhaand me sirf tum jaante the...

the,ho nahi....tumhare saath saath ab mai bhi iske baare me naa sirf jaanta hun,balki tum dekh hi chuke ho ki is SPELL ka safalta purvak istemaal bhi kar sakta hun....

par BHAI hun tumhara,wo bhi chota..aur chote bhai ka toh bade bhai ki cheezon par hak hota hi hai..kyun????

ASMODEUS jiski aankhon me ab bhi hairat tair rahi thi,meri baat khatm hote hi...

ASMODEUS- kaise?????

ASMODEUS ke sawal par mai firse muskura diya...

MAI-iska shray bhi tumhe hi jaata hai...jis khoon ki madad se tumne mujhse mere astitv ko cheena tha,theek hone ke baad maine bhi usse upyog me liya...

Maine tumhare khoon ke ek boond ko apne andar hi rehna diya aur usse lekar ek aisi jagah gaya ( TWISTED DIMENSION )jahan bina dar ke us khoon me chupi tumhari shakti ko baahar nikalkar usse jaanch sakun...

(yahi wo dusra reason tha doston jiski wajah se VIKRAM aur AVANTIKA TWISTED DIMENSION gaye the )

waise toh us jaanch ka mukhya uddeshya ANJALI ke baare me pata lagana tha par usse pehle mere haath tumhari ye chamatkarik shakti lag gayi....

aur thik tabhi mere dimag me ek yojna ubhri..maine socha ki tumhari hi tarah kyun naa har cheez parde ke piche se dekh kar uska aakalan kiya jaaye....

issi soch ke saath maine apni yojna ko ya fir ye kahun ki khudko ek naya roop diya...

BHRAM MAAYA ka istamal kar maine apni ek nakal banayi...

jo VIKRAM MONSLICKEL gaya tha,aur jisse gale lagakar tumne uske andar SHADOW WORLD ki jhalkiyan daali thu,wo nakli tha..

par kyunki BHRAM MAAYA ki wajah se mere nakal tak ko ye maalum nahi tha ki wo asli nahi hai,toh tumhe kahan se pata chalta....???

par in sab ko dekh kar mai samajh gaya tha ki tum kisi naye firak me ho .fir maine socha ki jab mere BHAI ne itni mehnat ki hai toh kyun naa usse uske saare prapanchon ko pura kar lene dun,uske baad uske saamne aaun....!!!!

aur lo,tumhare shadyantra ke pura hota hi mai tumhare saamne hun.....

meri saari baat aur planning sun ASMODEUS ko zara sa bhi ghussa nahi aaya ulta uske aankhon me prashansha ke bhaav aa gaye the...

shayad yahi wajah thi ki ASMODEUS jo tha wo tha....usse samajhna is bramhaand ki sabse badi paheli thi....

wahin meri kahi har baat sirf ASMODEUS aur BEELZEBUB hi nahi sun rahe the,balki SHADOW WORLD me khade AVANTIKA,SAMAY SANCHALAK aur mere saare dost bhi sun rahe the....

aur wo sab bhi meri baat aur planning sun khushi se jhum uthe the...SAMAY SANCHALAKON ki jo ummid tootne lagi thi,wo firse jaag chuki thi....

wo unhe koi dar nahi tha..wo jaante the ki unka vanvaas khatm ho chuka hai...

ASMODEUS- jaise har galti ki saza hoti hai,waise hi har jeet ka inaam bhi milta hai...

aaj tum jeete ho,isiliye inaam toh banta hai....ye bol ASMODEUS ne PARIVARTAK mere saamne kar diya...

maine bhi muskurate hue PARIVARTAKko uske haathon se le liya...

mai jaanta tha ki ASMODEUS ne us chiz ko jisse paane ke liye usne kitni mehnat ki thi,mujhe yunhi kyun soumpa tha...!!!

ASMODEUS ko pata tha ki ab uske paas PARIVARTAK ke rehne ka koi matlab nahi hone waala..kyunki ab wo SAMAY SANCHALAKON ko kaid me nahi rakh sakta...

aur ek baar SAMAY SANCHALAK azaad hokar apne grah lout gaye,toh PARIVARTAK bhi apne aap hi unke paas chala jaayega..

aur isiliye hi ASMODEUS ne mujhe pehle se PARIVARTAK thama diya tha...

PARIVARTAK dene ke baad ASMODEUS ne mujhe ek pal ke liye dekha,aur fir BEELZEBUB ko lekar gaayab ho gaya....

ek lambi saans chhodte hue maine PARIVARTAK ke beech ke bhaag ko ek baar firse dabaya...

aisa karte hi jo rays usse nikalkar dusre sabhi grahon se jude hue the,wo wapas PARIVARTAK ke andar sama gaye....

is kaam ko khatm kar maine ek baar firse apne haath aage kiya aur agle hi pal mere haath ke upar CURIOUS TREE ke branches ka powder aa chuka tha...

powder ke haath me aate hi maine ek fook maari jisse ek baar firse us powder ne pure SHADOW WORLD ko ghera aur uske salakhon ko chhute hi wo jaaduyi salakhen gaayab ho gayi...

aur agle hi pal...

SHADOW WORLD me jitne bhi log the,wo hawa me uthne lage ya fir ye kahun ki maine un sabko hawa me utha liya tha...

hawa me tezi se upar uthte hue wo sab kuch hi lamho me SHADOW WORLD ke baahar nikal chuke the aur dekhte hi dekhte wo sab mere saamne aakar ruke...

mere paas aate hi AVANTIKA ne jhat se mujhe gale laga liya....

AVANTIKA ke baad mai baaki sabse gale mila..SAMAY SANCHALAKON ne apne apne sir jhukaakar mujhe thanks kaha....

RONIT- yahan ka saara kaam khatm hua..ab chalen...???!!!!!

MAI- ek kaam baaki hai...

apni baat keh maine apne SWORD ka awahan kiya..aur jaise hi meri SWORD mere haath me aayi,toh maine apni SWORD ko SHADOW WORLD ki taraf fekh diya aur agle hi pal....

meri SWORD tezi se aage badhi aur dekhte hi dekhte usne SHADOW WORLD ko beech se aise kaat diya maano wo koi planet naa hokar cake ho....

do faal me baththe hi SHADOW WORLD ke dono hisso me dhamake hue aur agle hi pal SHADOW WORLD ka pura astitv hi khatm ho chuka tha....

apna kaam khatm kar meri SWORD wapas mere andar sama gayi....

MAI- ab yahan ka kaam khatm hua....

meri baat par koi pratikriya deta,usse pehle hi mere body se ek roshni nikal sab par padi aur agle hi pal hum sab gayab ho chuke the.....

PLANET-YELEPTUS

PLACE-STORMY DESERT

LIJIYE,AAP APNE GHAR PAHUNCH GAYE....

YELEPTUS me prakat hote hi maine SAMAY SANCHALAKON se ye baat kahi jisse sun wo sab khush bhi hue aur dukhi bhi...

khush apne grah me wapas aakar aur dukhi yahan ke haalat ke dekhkar...jo pehle ek sundar sa grah tha wo ab puri tarah se banzar ho chuka tha....

maine un sabki bhaavnaao se achi tarah waakif tha isiliye.....

MAI- udaas mat rahiye..sab pehle jaisa ho jaayega..par pehle aap sab apne apne sharir me wapas loutiye...

ANJU.....TERI BODY BHI YAHIN DAFAN HAI.........

meri baat sun ANJALI aur mere saare dost shocked ho gaye...wahin AVANTIKA normal hi rahi...

reason..aapko yaad hoga doston ki ISLA me baithkar baat karte waqt maine AVANTIKA se kuch kaha tha jisse sun wo shocked ho gayi thi...

wo yahi baat thi......

RONIT- kya bol raha hai yaar??ANJU ki body yahan hai???

MAI- haan..SAMAY SANCHALAKON ki body se nikalne waali WHITE ENERGY ki wajah se AVANTIKA ki body bhi pehle jaisi hi hai....

ASMODEUS jaanta tha ki yahi ek jagah hai jahan ANJALI ki body ko rakhne se uski aatma SHADOW WORLD me kaid rahegi...

kyunki aur koi bhi jagah par kisi bhi energy ki force ke hone ke baawajud ANJALI ki aatma uski body tak pahunch sakti hai par is is jagah par nahi...

kyunki ek yahi jagah aisi hai jo do hisso me bati hui hai...ek hissa toh yahi hai aur dusra SAMAY SANCHALAKON ki aatma ki wajah se SHADOW WORLD ban chuka tha...

aur MONSLICKEL chhodkar SHADOW WORLD hi hai jo khud ASMODEUS ne banaya hai...

MONSLICKEL me wo ANJALI ki paak saaf rooh ko rakh nahi sakta isiliye usne SHADOW WORLD ko is kaam ke liye chuna...

aur wo aatma shaant rahe isiliye ANJALI ki body ko usne yahan dafan kiya tha....

RONIT-bhai ab kya bolun???tu aur tera wo ajeebo garib bhai kya kya karte rehte ho,ye tum dono hi jaano...mujhe toh bas itna bata ki ab kya karen???

MAI- tujhe kuch nahi karna hai....jo karna hai kaine already kar diya hai...

RONIT- matlab???

maine kuch kaha nahi bas chup chaap khada raha aur isse pehle ki koi kuch kehta,zamin hilne lagi aur dekhte hi dekhte SAMAY SANCHALAKON ki bodies zameen se baahar aane lagi.....

maine apne doston ko ek taraf ishara kiya..aur jab mere ishare kiye hue jagah par mere doston ki aur khaaskar ke ANJALI aur RONIT ki nazar gayi toh wo khushi se ucchal pade...

reason......SAMAY SANCHALAKON ki bodies ke beech ek body hamari ANJALI ki bhi thi...

naahi SAMAY SANCHALAKON ki bodies me koi badlaav aaya tha aur naahi ANJALI ke body par..unhe dekhkar aisa lag raha tha maano wo sab bas soye hue hain....

reason....un sab bodies ke upar WHITE ENERGY ki ek chaadar si bichi hui thi jiski wajah se wo sab ab bhi pure fresh lag rahe the....

apni apni body ko dekh saare SAMAY SANCHALAK khushi khushi uski taraf badh gaye...

maine ANJALI ko bhi apni body ke paas jaane ko kaha..

RONIT ke saath saath wo bhi apni body ke paas chali gayi aur agle hi pal.....

saari aatmayen including ANJALI apne apne sharir me enter kar gayi aur aisa hote hi...

saari bodies ko ek jhatka sa laga aur agle hi pal un sabki aankhen khul gayi aur sab ek jhatke me uth kar khade ho chuke...

hosh me aate hi sabhi SANCHALAK aur ANJALI apni apni body ko chu chu kar khudko yakin dilane lage ki wo sab thik ho gaye hain...

RONIT ki aankhen ek baar firse bheeg gayi thi...wo ek tak ANJALI ke khubsoorat chehre ko dekhe jaa raha tha...

khudko kuch der tak feel karne ke baad jab ANJALI ki nazar RONIT ke chehre par padi toh wo jhat se aage badhi aur uske gale lag gayi.....

wahin theek hone ke baad sabhi SAMAY SANCHALAK mere aage haath jodkar khade ho gaye...

MAI- maine pehle bhi kaha tha ki ye sab karne ki koi zaroorat nahi....aur haan,ye rakhiye...

ye bol maine apna haath aage kiya jispar is waqt un sab ki dharohar PARIVARTAK rakha hua tha..

sadiyon baad apni chez ko dekh sabhi SANCHALAK bohot khush ho gaye....

mere haath se apni chez lekar wo ek baar firse mujhe dhanyawaad karne lage...

maine muskurate hue apna haath har taraf ghumaya aur agle hi pal pure YELEPTUS ka nazara badalne laga...

pura grah jo banzar ho chuka tha,wo ek baar firse pehle ki hi tarah khubsoorat ho chuka tha.....mausam ke tapan kam ho chuki thi aur uski jagah halki halki thand ne le li thi....

ye sab dekh wo saare aur khush ho gaye...

yahan itna kuch ho chuka tha aur wahan hamare RONIT bhaisahab aur ANJALI madam ek dusre me hi lage hue the aur isiliye....

MAI-ab bas bhi karo yaar.....

maine ye baat thoda zor se kahi thi jisse sun ANJALI aur RONIT hadbadate hue alaga hue jise dekh hum sab has diye...

RONIT- kya hai be...thik se gale toh lagne de...

MAI-apni bakwas band kar..ek aakhri kaam baaki hai,pehle wo kar len....

RONIT- saale tere kaam kabhi khatm honge bhi ya nahi...????

MAI- kaam zaroor hai par mera nahi,ANJALI ka...

meri baat sun ANJALI aur RONIT chownke...

DONO- matlab???

MAI- matlab jaanane se pehle do adhuri baat puri kar lete hain...

pehli.....yaad hai kuch der pehle SHADOW WORLD me tune mujhe i mean meri nakal ko bataya tha ki tune ek baar firse RONIT se judne ki koshish ki thi par firse fail ho gayi thi..

jispar mere nakal ne tujhe bataya tha ki tu fail toh hui thi par puri tarah nahi...

ANJALI- arre haan,ye mai kaise bhul gayi???uska matlab kya tha??

MAI- uska matlab ye tha ki dusri baar try karne par teri aantarik shakti toh RONIT tak nahi pahunch paayi par us shakti ki wajah se tere dimag ka ek hissa RONIT ke dimag me zaroor fit ho gaya tha....

RONIT,MIRRORS WORLD me tu baaki teeno se dimag ke maamle me isiiliye aage tha kyunki tere dimag me teri soch ke saath saath ANJALI ki soch aur dimag bhi juda hua tha...

tu ek hokar bhi do tha aur isiliye tu kisi bhi chunouti ko in teeno se behtar samajh paa raha tha....

mere is khulase se RONIT,ANJALI,MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA bhi shocked ho gaye the....

MAI- zyada shocked mat ho..abhi ek aur jhatka lagna baaki hai...

SHAILA- ab aur kya baaki reh gaya...???

MAI-dusri adhuri baat....RONIT yaad hai jab tum sabki shaktiyan tum sabke control me aa chuki thi,us waqt bas tujhe hi thoda bhaari bhaari lag raha tha...

RONIT- haan par tune kaha tha ki kuch der me thik ho jaayega...

MAI- toh kya thik hua???

RONIT- nahi.ab bhi mujhe bhaari bhaari lag raha hai....

MAI-WO ISILIYE KYUNKI TERE ANDAR EXTRA SHAKTIYAN HAIN,AUR WO EXTRA SHAKTIYAN ANJALI KI HAI.......

ab ye ek naya aur bohot bada bomb tha jo mere doston aur khaas karke RONIT aur ANJALI ke upar gira tha..wo mooh faade meri taraf dekhne lage...

MAI- ghuro mat.sab batata hun...darasal baat ye hai ki MIRRORS WORLD ki chunoutiyon ke douran bhale tu ye nahi jaanta tha ki tere har jawab aur pratispradha me tere saath saath ANJALI ka dimag juda hua hai,par THE THREE MIRRORS ye baat ache se jaante the...

aur isiliye jab tum sab ne apni saari chunoutiyan safaltapurvak puri ki,toh tumhare saath saath ANJALI bhi MIRORS WORLD ki chunoutiyon ki vijeta ban gayi thi...

aur jab MIIRORS ne tum sabko shaktiyan din,toh RONIT tere andar MIRRORS ne ANJALI ke hisse ki shaktiyan bhi de din...

par kyunki tum sabhi ki shaktiyan us waqt unstable thi aur maine un shaktiyon ko baandh diya tha,isiliye tujhe koi fark nahi pada par jaise hi tune apni shaktiyon ko control kiya,to ANJALI ki shaktiyan bhi tere control me aa gayi par kyunki ye teri nahi hain,isiliye tujhe apne andar extra bhaar lag raha hai.....

meri dono adhuri baat puri ho chuki thi par mere doston ke mooh aur zyada khul chuke the....

MAI- mooh band karo be..

meri baat sun un sabne hadbadate hue apne apne mooh band kar liye...

MAI- ab suno wo kaam jo bacha hua hai...

MAI-ANJU,RONIT ke andar jo extra shaktiyan hain wo teri hai aur mai unhe RONIT se nikalkar tujhe de dunga par....

in chaaron ki hi tarah tujhe khudhi un shaktiyon ko control karna sikhna hoga...theek hai....

ANJALI ne kuch kaha nahi bas wo doudkar aayi aur aakar mere gale lag gayi....

ANJALI dheere se-tu bhale hi mat bata par mai jaanti hun ki RONIT ke paas jo mere dimag ka ansh chhuta tha,uske piche bhi tera haath hai..

tu jaanta tha ki ek din aisa aayega jab ye sab apni shaktiyan badhane ke liye MIRRORS WORLD jaayenge aur tu chahta tha ki inke saath saath mujhe bhi wo shakytiyan mile....

MAI- dekha,isiliye hi maine tere dimag ka hissa is duffer ke andar chhoda tha...tere bina ye sab jeet nahi paate.....

RONIT-ye kya khusur fusur kar rahe ho tum dono...

MAI- ANJU propose kar rahi hai mujhe..bol rahi hai ki tu mera b.f banja...

RONIT-saale kamine,abhi abhi G.F mili hai aur tu usse mujhse chinane me lag gaya...

MAI-jo apna ho,usse kya chhinana....!!!

RONIT- bhaag be....

MAI- bhaagunga,par ANJU ko saath lekar...

RONIT- bas kar mere baap..mai haar gaya...

RONIT ne haath jod ye baat kahi thi jisse dekh hum sab has diye....

MAI-toh ANJU...tu ready hai apni shaktiyon ko control karna sikhne ke liye...

ANJALI ne haan me apni gardan hilayi....

MAI- kya mai is kaam ko yahan kar sakta hun??

maine SAMAY SANCHALAKON se nivedaan kiya jisse un wo sab ek baar firse apne apne haath jod khade ho gaye....

1st SANCHALAK-aisa bol hume lajjit naa karen LORD...ye pura grah aapka hai..aapka jo dil chaahe wo kijiye....

unki baat sun mai muskuraya aur agle hi pal........

mera haath aage ho chuka tha jisse ek white ray nikal RONIT par padi aur tabhi....

RONIT ke body ke andar jo ANJALI ki shaktiyan thi,wo baahar aa gayi aur agle hi pal wo shaktiyan ANJALI ke andar sama chuki thi.....

PLANET- MONSLICKEL

PLACE-ASMODEUS PLANET

JO KAHA HAI,WO THIK SE SAMAJH AAYA.....

ASMODEUS ki baat par BEELZEBUB ne haan me apna sir hilaya...

ASMODEUS- jaa sakte ho....

ASMODEUS ke bolne ke agle hi pal BEELZEBUB ne apna sir jhukaya aur gaayab ho gaya....

BEELZEBUB ke gaayab hote hi ASMODEUS dhyan aasan me baith gaya...

dhyan me baith jaise hi ASMODEUS ki aankhen band hui,toh uske seene ke beech roshni dikhne lagi aur us roshni ke beech se DO RAYS BAAHAR aaye.....

baahar aate hi wo RAYS ek taraf badh gaye..

wahin gayab hokar BEELZEBUB bramhaand ke ek dusre kone me pahuncha aur agle hi pal thik ASMODEUS ki hi tarah uske andar se bhi ek ray nikli jisse lekar BEELZEBUB aage badh gaya....

ASMODEUS ki ray aage badhte hue apni manzil par pahunchi aur gayab ho gayi.......

thik tabhi BEELZEBUB ne bhi apni ray ko uski manzil tak pahuncha diya jahan pahunch wo ray bhi gayab ho gayi.....

ASMODEUS-ANTIM PADHAAV AARAMBH HUA............

AAJ KE LIYE ITNA HI........

AAPKA APNA V....J.........
 
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM ANJALI KE ZINDA HONE KA RAAZ SAARE DOSTON KO BATATA HAI AUR SAATH HI ASMODEUS KE PLAN KO FAIL KAR APNE DOSTON KE SAATH SAATH SAMAY SANCHALAKON KO LEKAR UNKE GRAH YELUPTUS PAHUNCH JAATA HAI JAHAN PAHUNCH WO EK AUR NAYA KHULASA KARTA HAI JISME WO SABKO BATATA HAI KI ANJALI BHI BAAKI CHAARON KI HI TARAH MIRRORS WORLD ME MILE CHUNOUTIYON KI EK VIJETA HAI AUR AB USSE BHI BAAKIYON KI TARAH APNI SHAKTIYON PAR KAABU PAANA SIKHNA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-112

PLANET-YELUPTUS

PLACE-OPEN GARDEN

ARRE WAAH,MERI BODY TOH LIGHT HO GAYI...ISKA MATLAB....ANJU...TAIYAR HOJAA.......AB TUJHE BHI WAHI FEEL HONE WAALA HAI JO HUME HUA THA....

jaise hi maine ANJALI ki shaktiyan RONIT se nikal ANJALI ke body ke andar daali,toh RONIT ne apni baat kahi jiska matlab ANJALI ko samajh me nahi aaya...

par isse pehle ki wo RONIT se kuch puchti.....

ANJALI- arre,ye mere body ko kya ho raha hai???ye achanak bhaari kyun hone lagi hai????

shaktiyon ke sharir me samane ke kuch pal baad dheere dheere uski body bhaari hone lagi jis wajah se ANJALI ne ye baat puchi....

wahin ANJALI ki baat sunkar mere sabhi dost has diye....

RONIT-issi feeling ke baare me toh mai abhi baat kar raha tha...

jo shaktiyan tere andar gayi hain,wo filhal unstable hain aur issi wajah se teri body bhaari ho rahi hai...

dheere dheere ye bhaar aur badhega isiliye turant dhyan me baith aur apni aantarik shakti ko apne dimag se connect karne ki koshish kar....

MOKALSAR- aur waise bhi itni sundar jagah me tujhe dhyan lagane me aasani hogi...

hum jab yahan dhyan lagane baithe the,tab ye jagah nirjeev thi par ab dekho...yahan ka drishya kitna manmohak ho chuka hai....

MOKALSAR ki baat sahi thi...jo PLANET pehle puri tarah banzar tha,ab wo hara bhara tha aur is waqt hum jis jagah par the wo pehle ek stormy desert tha par ab ye ek dile sukoon garden me badal gaya tha...

aisi jagah dhyan lagane ke liye perfect hoti hai....

jahan sabhi is jagah ko khubsoorti ko niharne me lag gaye the,wahin ANJALI ke body ka bhaar lagatar badhne laga tha aur isiliye time waste naa karte hue ANJALI jahan khadi thi wahin turant DHYAN awashta me baith chuki thi....

RONIT- kya lagta hai????ANJU ko kitna time lagega???

SHAILA-kya pata???shayad humare jitna hi lage....

MAI-nahi...wo jaldi hi apni shaktiyon ko control kar legi..uski aantarik shakti tum sabse zyada tez hai..

tabhi toh wo SHADOW WORLD jaise jail ke bandhan se baahar nikal hamare PLANET tak pahunchne me successfull hui thi...

RONIT- arre haan yaar....ye baat toh adhuri hi reh gayi....tune ANJU ke gaayab hone se lekar uske milne tak ke baare me sab kuch bataya par ye nahi bataya ki ANJU ne kaise apni aantarik shakti ko itna mazboot bana liya tha ki wo ek PLANET se dusre PLANET tak pahunch gayi....

jahan tak mujhe yaad hai tune hum sabko iski training nahi di thi....

MAI- training toh maine ANJU ko bhi nahi di thi,bas hidayat di thi jisse usne pure dil se maani aur kaamiyab bhi hui....

RONIT-hidayat thi thi!!!!par kab????

MAI-jab mai ISLA gaya tha.....

meri baat sun RONIT chownka....

RONIT- matlab!!!!

MAI-Ye toh tum sabko pata hi hai ki COURIOUS jaane ka raasta mujhe ISLA me hi mila tha...

us waqt mai ye toh nahi jaanta tha wahan mere saath kya hone waala hai par itna mujhe zaroor andaza ho gaya tha ki jis grah ko itne sadiyon se ASMODEUS chhupata hua aaya hai,usse yun open hota dekh wo kuch na kuch toh karega zaroor...

par kya aur kaise ye ek paheli thi...

aur is pahei ko sirf waqt hi suljha sakta tha...mere paas bas khudko mazboot aur taiyar rakhne ke siwa aur koi chara nahi tha....

aur tabhi mere dimag me ek baat click huyi aur wo ye ki sharirik shakti aur bal se ASMODEUS mere doston ko bhale hi nuksaan pahuncha de par agar mai maansik tour par tum sabko sashakt banaun toh problem kitni bhi badi ho,tum sab kisi na kisi tarah usse baahar aa jaaoge....

isiliye pehle maine AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA ke mansik tarango ko ek dusre ke saath jod diya taaki agar koi ek bhi mushkil me fase toh baaki dono usse bachane aa jaayen...

wahin COURIOUS jaane se pehle mai ek baar dhyan me baitha tha...(update 89)

Mai jaanta tha ANJALI ki dhairya shakti tum sabse zyada hai aur aantarik shakti ko control karne me nipun hone ke liye ye quality anivaarya hai...

isiliye dhyan me baithte hi ANJALI se jud maine usse uski aantarik shakti par kaam karne ke liye kaha tha....

ye maine tum dono ke liye kiya tha...tum dono ko khudse jodne ki wajah se tum me se koi mar nahi sakta tha par mai ye bhi jaanta tha ki ASMODEUS ke paas tum dono ko maut si taklif dene ke aur bhi tarike honge...

mai jaanta tha ki agar ANJALI apni aantarik shakti ko kaabu paana sikh le toh wo khudko aur tujhe har yaatna har atyachaar ko sehna sikha degi....

mere COURIOUS jaane ke baad ANJALI ne lagatar apni aantarik shakti par kaam kiya aur aakhir kaar usne uspar kaabu paa hi liya jis wajah se wo mujhtak pahunchane me kaamiyab hi thi....

RONIT- ohh..par usne toh is baare me mujhe kuch bhi nahi bataya tha.....

MAI-usne tujhe batane ki sochi thi par fir usne socha ki jab wo apni aantarik shakti par kaabu paane me kaamiyab ho jaayegi,tab tujhe batayegi....

aur jab tak wo kaamiyab hui,tab tak haalaat badal ya fir ye kahun ki bigad chuke the..tujhe aur tere saath saath ANJALI ko bhi mere CLONES ke negetive hone ka ehsaas ho gaya tha...

aur fir uske baad kya hua ye toh tu jaanta hi hai....usse is baare me batane ka mouka hi nahi mila......

SHAILA- VIKRAM sahi hai,ANJALI ki aantarik shakti hum sab se wakayi zyada sashakt hai...

dekho naa,itni der ho gayi,par ANJALI ka dhyan ab tak nahi toota hai....

SHAILA ki baat sun baaki sab ka bhi dhyaan ANJALI par gaya jo is waqt araam se dhyan me baithi thi....

RONIT- ye muskura kyun rahi hai...

dhyan me baithi ANJALI ke chehre par achanak ubhri muskaan ko dekh RONIT ne sawal kiya.....

MAI- is waqt ANJU ki aantarik shakti bhi us jagah ki sarhad par pahunch chuki hai,jahan kuch din pehle tum chaaron ki aantarik shakti pahunchi thi...

jahan pahunchne ke baad tum sab ki shaktiyan tumhare adhin hui thi...

SAB-SWARG.......!!!!!!

meri baat aur us baat me batayi hui jagah ke baare me sunte hi un chaaron ke mooh se ye shabd apne aap nikla.....

MAI- haan.....

jahan mere mooh se haan sunkar mere bdost khush ho gaye the wahin ab tak hum sabki baaton ko chup chaap sun rahe SAMAY SANCHALAKON ke dil jigyasa se bhar gaye the...

reason....unse hi sun lijiye....

1ST SANCHALAK-LORD,ASMODEUS ke kaid me fasne se pehle PARIVARTAK ke maadhyam se hum har waqt ANGELS se jude hue hote the...

aur ANGELS ke zariye HEAVEN se..sadiyan beet gayi,humare aankhon ko HEAVEN ki manmohak sundarta ko dekhe hue....

aap sabke jaane ke pashchat jab hum sab ek baar firse apne kartavya ka punah nirwah aarambh karenge,tab toh hum firse ANGELS se jud unke maadhyam se HEAVEN ko ek baar firse dekhenge hi,kintu.....

MAI- mere mooh se HEAVEN sun aap sabke man me HEAVEN ko abhi dekhne ki tivr iccha jaagrit ho gayi hai...

maine SAMAY SANCHALAK ki baat ko pura kiya jisse sun usne aur baaki sabhi SANCHALAKON ne firse apne haath jod liye...

2ND SAMAY SANCHALAK- aapse kya chhupa hai LORD????

maine kuch kaha nahi par agle hi pal.....

mere sir ke upar hawa me ek chalchitra chalne laga.....

ye chalchitra aur kuch nahi wahi scene tha jo is waqt ANJALI ki aantarik shakti ke saamne chal raha tha...

scene ke saamne aate hi SAMAY SANCHALAKON aur unke saath saath mere doston ki aankhen bhi chamak uthi...

REASON....ab agar sakshaat HEAVEN ka drishya aakhon ke saamne chalne lage,toh un aankhon me chamak ka aana toh laazmi hai...

aur in sab chamakti aankhon me sabse zyada chamak RONIT ke aankhon me thi....

aur wo isiliye kyunki baaki sab toh sirf ek jannat ko dekh rahe the,par RONIT ke saamne do do jannat thi..

ek GOD ki banayi jannat aur dusra uska personal swarg....ANJALI.....jo is waqt HEAVEN ke gate se andar hoti hui wahan ke adhbhudh nazaron ka aanand lete hue aage badh rahi thi....

ek aur baat thi jo bohot achi thi aur wo thi RONIT,AKSHAANT,SHAILA,aur MOKALSAR ke man ki bhaavna...

ek hi attempt me ANJALI ne apni aantarik shakti ko uski manzil tak pahuncha diya tha aur wo bhi bohot kam waqt istemaal karte hue.....

jabki mere baaki doston ko kuch zyada hi mehnat karni padi thi is mukaam tak pahunchne ke liye....

par iske baawajud in chaaron ke man me thodi si bhi jalan ya fir inferiority complex ne janm nahi liya tha aur ye bhavna rakhna sach me sarahaniya hai....

khair,jaisa ki mere saamne khade chaaron doston ke saath hua tha,thik waisa hi ANJALI ke saath bhi hua par isse pehle ki ANJALI ki aantarik drishti mere saamne aati,maine chalchitra band kar diya...

mere aisa karne se mere dost mujhe dekhne lage....

RONIT- kya hua??main scene toh reh hi gaya jisme tu ANJU ki shaktiyon ko uske niyantran me rehne ka aadesh dega....

MAI-ab mai jab khud yahan moujud hun toh kisi picture me ye sab kyun dekhna???

ye bol maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi mere haath se ek white ray nikli jo sidhe jaakar ANJALI ke sharir se takrayi aur agle hi pal......

ANJALI ke sharir ko ek tez jhatka laga aur uska sharir hawa me uth gaya....

hawa me uthte hi uske sharir par ANGELS ke kapde aa chuke the....

kuch der tak chamakte roshniyon ke beech ANJALI ki body yunhi hawa me uthi rahi aur fir jaisa jaise roshni kam hone lagi,ANJALI ki body bhi neeche aane lagi aur kuch hi palon ke baad wo wapas hum sabke saamne khadi thi...

in sab kriyaaon ke dauran ANJALI ki aankhen ab bhi band hi thi....

zamin par aate hi uske body par jo ANGELS ka libas tha wo gayab ho gaya ya fir ye kahun ki uske sharir me sama gaya aur aisa hote hi ANJALI ki aankhen khul gayi....

ab ANJALI ko bhi apni body me waisi hi aseem shaktiyon ka abhaas ho raha tha,jaisa mere baaki ke chaaron dost lagatar feel karte the....

RONIT-ab tu bhi humme se ek hai ANJU.....

RONIT ki awaaz ke kaan me gunjte hi ANJALI jaise hosh me aayi...

wo jhat se aage badhi aur RONIT ke gale lag gayi...

kuch der tak RONIT ki baahon me rehne ke baad ANJU ne baaki sabko bhi ek ek hug diya aur aakhir me wo mere saamne aakar khadi ho gayi....

ANJALI-waise toh tu mere aur RONIT ke liye hamesha se hi kuch na kuch karta aaya hai...

hamari dhaal banta aaya hai jiske badle me tune hume thanks tak kehne nahi diya....

teri tarah har kisika dimag toh nahi padh sakti par itna toh jaanti hun ki ab bhi tu mujhe shukriya ada karne nahi dega....

aur shayad ye 6 letters ka word kabhi kaafi bhi nahi hoga tujhe kehne ke liye....aur mai is laayak bhi nahi ki tujhe kuch de paaun par phir bhi,zindagi me agar aisa koi mod aaye jab mai tere liye kuch kar sakun toh ye mere liye ek blessing jaisa hoga....

mai RONIT se beintahan pyaar karti hun..uske saath hasna chahti hun,rona chahti hun ya fir ye kahun ki jeena chahti hun par tu wo hai jiske liye mai haste haste mar sakti hun V.J.....

RONIT/AKSHAANT/MOKALSAR/SHAILA-mai nahi hum....hum sab mar sakte hain....

MAI-mujhe pata hai par keemat maut ki nahi zindagi ki hoti hai isiliye jiyo aur aisa jiyo ki dusro ke jeene ki wajah ban jaao...

itna karo aur jo tumhe lagta hai naa ki maine tum logon ke liye bohot kuch kiya hai,wo saara hisaab clear ho jaayega....

PANNCHJON- aisa hi hoga......

MAI-hmm.....ab mudde ki baat,pehle jo shaktiyan tum sabke paas thi,unki ek seema thi par ab jo shaktiyan tum sabke paas hai unki koi seema nahi hai....

jitna dhyan tum laagaoge aur apni shaktiyon ko mehsoos karoge,ye utni badhengi....

paanchon ne meri baat ko samajhne ke andaz se apna apna sir hilaya par tabhi....

RONIT- oh teri.......

jahan RONIT ki baat sun mai muskura diya wahin baaki sab apni apni aakhon me sawal liye uski taraf dekhne lage....

RONIT- yaar purane saare sawalon ke toh jawab mil gaye par ab jo naya sawal hum sabke sir par baitha hua hai,uska kya karenge???

jahan ek taraf AVANTIKA aur mere baaki doston ko ab bhi RONIT ii baat ya fir ye kahun ki uska sawal samajh me nahi aaya tha wahin SAMAY SANCHALAKON ko toh jaise in sabse koi matlab hi nahi tha..

wo sab toh ab bhi mujhe apne saamne dekh khush hue jaa rahe the....

khair,kyunki RONIT ke sawal ka matlab kisiko bhi samajh me nahi aaya tha isiliye....

ANJALI-tu kya bol raha hai,humme se kisiko bhi samajhme nahi aa raha hai???

RONIT-arre naya sawal in the sense ki ab hum ghar me tere baare me kya aur kaise batayenge????

kaise batayenge ki tu zinda kaise hai???aur agar zinda hai toh ab tak kahan thi and most importantly,tu samajhkar jisse jala diya gaya tha,wo kaun thi????

ab ghar waalon ko toh apne supernatural kisso ki haqiqat nahi bata sakte naa????

RONIT ka pucha sawal ek dum valid aur solid tha par.....

AVANTIKA- kya RONIT!!!!jab V.J ne itni saari baaton ke baare me najaane kab se soch liya tha toh kya is baare me usne kuch nahi socha hoga????

AVANTIKA jo ab tak chup chaap sabki baatein sun rahi thi,usne RONIT ke sawal par apni baat kahi....

RONIT-yaar,ye toh mai bhi jaanta hun ki iske dimag me kuch na kuch solution pak hi gaya hoga..

Mai toh bas aane waale situiation ke baare me bata raha tha....yaar bata naa,ANJALI ko ghar waalon ke saamne kaise lekar jaayenge....????

MAI- tum sabke puche gaye har sawal ka jawab maine diya hai,iska bhi dunga par pehle us sawal ka jawab toh se dun jo ab tak ANJU ne pucha hi nahi....

Wo sawal jo uske man me tabse hai jab se wo SHADOW WORLD me fasi thi...

Wo sawal jo ab bhi usse lagatar andar se bechain kiye hue hai par fir bhi wo us sawal ko puchne ki himmat nahi kar paa rahi hai.....

Meri baat sun sabhi firse chownke.....unhe samajh nahi aaya tha ki mai kis sawal ke baare me baat kar raha aur pata karne ka ek hi tarika tha isiliye....

RONIT-ANJU...ye V.J kya bol raha hai????koi sawal hai jo tujhe pareshan kiye jaa raha hai aur tune fir bhi ab tak pucha nahi....????

RONIT ke puchne par bhi ANJALI ne kuch kaha nahi par uski palken zaroor bhig gayi thi aur wo un bheegi palkon se mujhe dekh rahi thi maano keh rahi ho ki jab pata hi hai toh bata de naa....?????!!!!!!!!

MAI-kuch baatein kahi nahi jaati RONIT,samjhi jaati hai....

Meri baat naa samajh RONIT aankhon me sawal liye mujhe dekh raha tha....

MAI-teri apni G.F ke liye aur meri apni DOST ke liye taklif se badhkar bhi ek taklif hai RONIT jo ANJALI se judi hui hai....

Ek MAA aur PITAH ki apni bacchi se alag hone ki taklif...zindagi bhar apni ek louti bacchi ke bina zindagi guzarne ki taklif.....andar hi andar us gum ko paalte hue muskurate rehne ki taklif.....dusro ke bachhon ke birthdays par apno bacchi ke birthday celebration ko yaad karne ki taklif.....

Aur ANJALI apne MOM DAD ke ussi taklif ke baare me puchne se dar rahi hai..wo un dono ke baare me jaanane ke liye tadap rahi hai par wo jaanti hai ki uske bina uske mom dad ka kya haal ho raha hoga aur iisiliye ek sawal uske honton par aakar baar baar palat jaa raha hai aur wo ye ki......

ANJALI- MOM DAD kaise hain????

Chalakti aankhon se ANJALI ne apne honton par rooke hue sawaal ko bahaar nikal hum sabke saamne rakha...

Maatra chaar aksharon ke samooh se bana hua ek simple sa sawal par fir bhi aisa laga jaise in chaar aksharon ko apne zubaan se baahar nikalne ke liye ANJALI ne apni puri shakti laga di thi....

Barasti hui aankhen,larazte hue honth,chehre par jhalkata dard,pure sharir me halki halki kampan aur us kampan ko aur asahaniya banati hui uski bechaini kisi ke bhi dil me tees pahunchane ke liye kaafi thi....

RONIT jhat se aage badha aur usne ANJALI ko apni baahon me chhupa sa liya...ANJALI bhi uski baahon me simat si gayi par aankhen uski ab bhi mere taraf hi thi..

Wo jaanti thi ki jawab usse mai hi dunga....aur isiliye....

MAI- khud hi dekh le.....

Mere aisa bolte hi hum sabke saamne hawa me ek baar firse ek naya chalchitra chalne laga...is baar usme ANJALI ke jaane ke baad humare ghar ke haalat ke drishya chalne waale the....

Us film ke shuru hote hi ANJALI RONIT ki baahon se nikal sidhi khade ho un drishyon ko mehsoos karne lagi.....

ANJALI ke mrith sharir (clone) ko apne aankhon ke saamne dekh jab uske mom dad AKASH uncle aur NEHA aunty ki dil cheerne waali rudaan hum sabke aur khaas kar ANJALI ke kaano me padi toh us rudaan ka asar hum sab par aur khaas kar ANJALI par bhi hua....

Yahan tak ki saare SAMAY SANCHALAK jo ki jeeven maran ke chakra ke bandhan se mukt hain,wo bhi is dard se achhute naa reh paaye.....

Jaise jaise scenes aage badhte gaye,ANJALI ki aankhon se behti ashruon ki dhaara ka bahaav bhi badhta gaya...

RONIT ANJALI ko console karne me liye aage badhne waala hi tha par tabhi maine usse man hi man aisa karne se mana kar diya...

Itne samay tak apne mom dad ke haalat ke baare me soch soch kar jo ek kism ka dar ANJALI ke man me bas sa gaya tha,uska in aansuon ke saath baahar nikal jaana zaroori tha....

Isiliye hi maine ANJALI ko ye scenes dikhaye the taaki jab ANJALI apne mom dad ke saamne aaye tab unhe apne saamne dekh panic naa ho,uska dimag stable ho chuka ho...

saare scenes chalne ke baad wo picture gaayab ho gayi....ANJALI ab bhi halka halka subak rahi thi....

Par ye bas kuch der tak hi hua...ANJALI ka bura waqt khatm ho chuka tha aur saath hi uske mom dad ka bhi...

Is khayal ke man me ghar karte hi ANJALI ka man shaant hone laga aur kuch hi der me wo back to normal thi...

MAI- all good....!!!!!!

mere sawal par ANJALI ne haan me apna sir hilaya...

MAI- hmm..RONIT,gharpar ANJU ke zinda hone ke baare me kya kahenge,iska jawab ye raha...

Ye bol kaine apne right ki taraf haath kiya aur mere aisa karte hi mere haathon se ek roshni nikli aur us roshni se ek aakruti banane lagi aur jaise hi us aakruti ne roop lliya,toh mere sabhi doston ke mooh se ek saath nikla....

MADDOXXXXX........

MAI- arre clone hai uska.....

RONIT- par iska hum karenge kya????

MAI-wahi jo ASMODEUS ne ANJALI ka kiya tha.....

RONIT-bhai,kuch samajh me aaye,kuch aisa bol....

MAI-simple hai yaar.... jaise ASMODEUS ne ANJALI ke clone ko use kar ANJALI ko mara dikhaya,thik waise hi hum bhi MADDOX pe saara ilzam daal ANJU ka zinda hona justify karenge...

ANJALI- kaise????aur MADDOX hi kyun???

MAI-tere kaise aur kyun ka jawab ek hi hai...tum sabko yaad hoga ki last baar hamare ghar waalon ke ke hisaab se humari aakhri ladhayi kisse hui thi...!!!!

ANJALI-ghar waalon ke hissab se hamari last ladhayi..........arre haan,wo toh MADDOX se hi hui thi...

MAI- exactly...jab RONIT hospital me admit tha aur mai gayab tha..aur jab mai wapas aaya tha tab maine dad ko aur sabko bataya tha ki MADDOX ne hi RONIT ko gaayab kiya tha aur saath hi usne mujhe bhi injured kiya tha....(FIRST CHAPTER)

Dad usse khojne nikalne waale the par maine us waqt unhe rok liya tha..par baad me dad ne MADDOX ko khojne ki koshish ki thi par MADDOX earth par tha hi nahi toh wo dhundhate kaise???

Usse toh humne GLUTO me maara tha....in short,MADDOX ki identity ab bhi missing hai...

Hum bas ghar jaakar ye kahenge ki MADDOX ne hi ANJALI ko gaayab kiya tha aur uski jagah ek dusri ladki jiski kad kaathi ANJU ke jaisi hi thi aur wo mar chuki thi,usse ANJU ki jagah usne implant kar diya tha...

Story ko aur strong banane ke liye hume bas ye batana hoga ki mai jo ghar chhodkar gaya tha wo bhi isiliye hi gaya tha kyunki mai jaan gaya tha ki MADDOX delhi me hi kahin hai aur ANJALI uske paas hai...

Maine kuch khaas bande wahan lagaye hue the jo MADDOX ko dhund nikalen.....aur finally mere bando ne MADDOX ko khoj hi nikala aur usse ANJU ko chupaaye jagah ka pata bhi nikalwa liya...

Par ANJU aur MADDOX ke louethe waqt MADDOX ke logon ne mere logon par humla kar diya...

mouka dekh MADDOX bhaagne ko hua par tabhi mere logon ne usse goli maar di...apne boss ko marta dekh MADDOX ke aadmi bhaag gaye aur mere bande ANJU ko wapas le aaye....simple.....

RONIT- yaar kahani toh thik hai par 1.5 saal tak ANJU ko MADDOX ne zinda kyun rakha,is baare me kya kahenge???

MAI- yahi ki MADDOX ANJU se shaadi karna chahta tha taaki uski aur uske saath saath hum dono ki properties par bhi kabza kar sake...

Par wo chahta tha ki ANJU iske liye khud ready ho.
MADDOX jaanta tha ki aisa hone par hi wo apne maksad me kaamiyab ho sakta hai...

wo ye bhi jaanta tha ki agar usne zor zabardasti se ANJU se shaadi bhi kar ki toh usse kuch haasil nahi hoga..mere dad itne strong aur powerful hain ki wo us shaadi ko amaanya dikha MADDOX ko jaan se maar denge..

Aise me sirf ANJALI ki khud ki marzi se usse ki hui shaadi hi uske plan ko successful bana sakti hai..

MADDOX ne socha ki zabardasti hi sahi,par apne paas rakh apni acchayi waale roop ko dikha wo ANJU ke man me apne liye pyaar paida kar dega par aisa hua nahi..

Tab usne ANJU se kaha ki jab tak wo usse shaadi karne ke liye raazi nahi ho jaati tab tak wo usse kaid karke rakhega...usne ANJU ko ek sunsaan jagah par andhere me 24/7 kaid karke rakha taaki us indirect torture se tang aakar ANJU uski baat maan jaaye...

Par aisa hua nahi aur jaisa ki maine bataya,mere bando ne finally ANJU ko dhund liya......

RONIT-haan yaar,ye angle sahi hai....

MAI- pata hai..ab chalen,hum sab already late ho chuke hain...jo scene ghar par hone waala hai,usse aur impactful banane ke liye maine hum sab ke clones ko 12 ghante pehle gaayab kar diya hai...

RONIT- abbe fir toh ghar par sabhi tention me honge...

MAI- tention ke baad khushi bhi toh milne waali hai..toh ab late naa karte hue nikalte hain...

Humare jaate hi aap sab apna kaam firse shuru kar dijiyega..aur mai aapke grah ke baahar ek shield bana dunga..

Jiske baad koi bhi black energy ka dharak aapke grah ke aas paas tak nahi aa paayega..

Meri baat sun sabhi SANCHALAKON ne bas apne apne haath jod liye....

Maine ek baar muskurakar sabko dekha aur agle hi pal mai AVANTIKA aur mere sabhi dost gayab ho chuke the...

Hum sab sabse pehle YELUPTUS ke orbit ke baahar prakat hue jahan maine apne kahe mutabik ek behad hi strong shield bana di..is kaam ko khatm kar hum sab ek baar firse gaayab ho chuke the.....

PLANET-EARTH

PLACE-NEHA MANSION

driver,jaldi se gaadi nikalo........

NEHA ( ANJALI ki mom ) ki baat sun driver turant car nikalne garage ki taraf badh gaya...

jab se ANJALI guzri hai(as been shown)tabhi se uski mom NEHA ke aankhon me hamesha se hi ek udaasi rahi hai par aaj un udaas aakhon me udaasi ke saath saath bechaini bhi thi...

reason....kuch der pehle hi VIKRAM ki mom MINU ka phone aaya tha ki VIKRAM aur RONIT subah se hi kahin gaye hue hain aur abhi tak nahi loute...

jaisa ki maine bataya tha ki VIKRAM aur RONIT bhi NEHA ke liye apne sage bache se kam nahi hain toh aise me tention toh hogi hi.....

VIKRAM ki mom ka phone aate hi NEHA jo ki ANJALI ki taswir ke aage khadi apni beti ko nihar rahi thi,wo turant apne anant saagar roopi dard se baahar aayi aur driver se car nikalne ke liye kaha....

ANJALI ki mom baahar ki taraf jaane hi waali thi ki.....

KAHIN JAA RAHE HAIN AUNTY......?????

MINU AUNTY ke kaano me ye awaaz takrayi jisse sun wo shocked ho gayi...

reason....ye awaaz ussiki thi jiski fikar me wo uske ghar jaa rahi thi matlab meri.....

aunty ne jhat se darwaze ki taraf dekha jahan se mai aur RONIT andar aa rahe the..hume sahi salamat apne saamne dekh aunty relaxed bhi hui aur saath saath naaraz bhi aur isiliye......

A/MOM-VICKY,RONIT.....kahan the tum dono subah se...????agar late tak baahar rehne ka plan tha toh kamsekam inform toh kar dena chahiye tha...

lekin nahi.....naa call na hi koi msg...yahan tak ki tum dono ke phone bhi band hain...

tum dono ko idea bhi hai ki tum dono ki moms kitni pareshan the...hum sab kitne pareshan the....

lekin tumhe isse kya???jab khud ek parent banoge naa tab pata chalega ki jab wo bacha jisse apne khun se seench kar maa baap bada karte hain,wo jab yun achanak gayab ho jaata hai,chhodkar chala jaata hai toh kaisa lagta hai????

aakhri baat kehte kehte NEHA aunty ka gala roondh sa gaya tha aur wajah bhi waajib thi...

kyunki daant bhale hi wo hum dono ko rahi thi,par un daant bhari baaton me zikr unki eklouti beti ka tha...

dard us beti ke chale jaane ka tha...

MAI- sorry aunty..aage se hum is baat ka dhyan rakhenge ki hum teeno me se kisi ki bhi wajah se aapme se kisi ko bhi koi taklif naa pahunche....

meri baat par aunty ke aankon me sawal dikhne laga tha.......mere TEENO kehne ka matlab unhe samajh nahi aaya tha.....wo kuch kehti usse pehle....

DRIVER-madam,car porch par khadi hai....

MAI- uski ab zaroorat nahi hai...gaadi wapas garage me park kar dijiye...

hum teeno ke ghar ka har member teeno ke hi ghar ke maalik ka darja rakhta tha...

aur hum teeno ke ghar me kaam karne waala har banda ye baat jaanta tha isiiliye mere kehte hi driver wapas gaadi garage me park karne chala gaya....

wahin jaise hi driver aaya tha,aunty ke dimag me click kiya ki wo kahan aur kyun jaa rahi thi isiliye unhone turant apna mobile nikala aur wo mom ko call karne hi waali thi ki....

MAI- kisse call kar rahi hai aunty???

A/MOM- teri aur RONIT ki mom ko....unhe bata deti hun ki tum dono yahin ho....

MAI- uski zaroorat nahi hai aunty..maine yahan aane se just pehle sabko already call kar diya hai aur sab yahin aa rahe hain....

darasal baat ye thi ki ANJALI ke ghar aane se just pehle hi maine apni shakti se ek saath apne aur RONIT ke mom dad ko call karke yahan bula liya tha..

aur saath hi AKASH uncle ko bhi turant aane ko keh diya tha.....

A/MOM- yahin aa rahe hain matlab.....

MAI- aap aaram se baithiye.....sabke aane ke baad sab pata chal jaayega....

ye bol maine aunty ko sofe par bitha diya..anuty ke hi baaju me RONIT bhi baith chuka tha....wahi mai chalta hua ANJALI ki photo ke saamne jaakar khada ho gaya....

meri koi bhi baat aunty ko samajh me nahi aayi thi par phir bhi wo chup chaap baithi hui thi...

jaisa ki aap sabko pata hai ki hum teeno ke ghar aas paas hi hai isiliye meri aur RONIT ki mom jaldi hi yahan pahunch chuki thi....

MOM-VICKY......

R/MOM-RONIT......

meri aur RONIT ki mom ne aate hi hum dono ek naam pukare...bhale hi maine mom ko aur aunty ko bata diya tha ki mai aur RONIT safe hain,par fir bhi mom toh mom hi hoti hai...

hum dono ko apni aankhon se apne saamne dekhne ke baad hi hum dono ki moms ki nervousness khatm hui.....

mai bhi chalta hua mom ke paas pahunch gaya..hum dono ko hi hamari moms ne gale se laga liya...

MOM- kahan the tum dono subah se???koi call tak nahi kiya tum dono ne upar se tum dono ke phone bhi band aa rahe the???

MAI- sorry mom..wo bohot important kaam tha isiliye jaana pada...

R/MOM- arre beta,jaane ke liye kisne roka hai???par kamsekam tum dono ko hume inform toh karna chahiye naa...!!!

MAI- sorru aunty..wo kaam hi itna important tha ki dhyan hi nahi raha but next time dhyan rakhenge.....

MOM- aisa kya kaam pad gaya beta???

MAI-wo mom,RONIT ne ek ladki pasand ki hai..toh usse hi milne gaye the....

meri baat sun mom aur dono aunties ko shock laga...meri baat sunte hi teeno ko ANJALI ki yaad aa gayi thi...

unhe samajh me nahi aa raha tha ki wo RONIT ke liye khush ho ya ANJALI ke liye sad..bhale hi unke hisab se ANJALI ab humare beech nahi thi par un sabne ANJALI ko hi RONIT ki future wife maan liya tha....

aise me jab in teeno ko pata chal raha tha ki koi aur hai jo ANJALI ki jagah leni waali hai,toh teeno hi udaas si ho gayi thi....

par taajub ki baat ye thi ki hum teeno ki moms me sabse pehle normal ANJALI ki mom hui...

A/MOM- arre waah..aakhirkaar mera beta mere liye bahu laa raha hai....

ye bol aunty ne RONIT ka maatha chum liya.....wahin aunty ki baat sun RONIT ka bhi dil bharr aaya tha..

wo bhi jaanta tha ki ANJALI ki mom ko bhi meri baat sunkar taklif hui hai par sirf RONIT ke khushi ki khaatir apna gum daba wo khushi jata rahi hai...

MAI- kya hua??kya aap dono khush nahi hain???

ANJALI ki mom ka reaction aur fir meri baat sun meri aur RONIT ko mom ko bhi laga ki unhe udaas nahi hona chahiye balki khush hona chahiye ki RONIT life me aage badh raha hai aur isiliye....

DONO-kyun khush nahi honge????huamre bete ne humare liye bahu dhund li hai,isse badi khushkhabari hum sabke liye aur kya ho sakti hai????

KHUSH KHABARI!!!!!KAISI KHUSHKHABARI?????

abhi humme se koi kehta isse pehle hi ye awaaz hum sab ke kaan me padi jo ki mere dad ki thi jo AKASH uncle aur HARPREET uncle ke saath humare paas aa rahe the...

MOM-RONIT ne hum sabke liye bahu dhund li hai.....

mom ki baat sun dad aur dono uncles ke chehre ka muskurata expresion ekdum hang sa ho gaya...

teeno ko hi samajh me nahi aaya ki wo kaise react karen????jo feelings hum teeno ki moms ki thi,wahi hamare dad ke dil me bhi chalne laga tha..

par NEHA aunty ki hi tarah AKASH uncle ne bhi sabse pehle RONIT ko badahayi di aur unko follow karte hue dad aur HARPREET uncle ne....

DAD- arre par ye toh batao ki ladki hai kaun taaki hum sab jaaye,usse mile aur turant saari baat pakki kar len...

MAI-ladki yahi mumbai se hai dad aur aap usse bohot ache se jaante hai..infact aap sab usse bohot ache se jaante ho aur pyar bhi bohot karte ho.....

meri baat sun ek baar firse sabhi shocked ho gaye...

MOM- hum sabhi jaante hain aur pyaar bhi karte hain!!!kiski baat kar raha hai???

MAI- batata hun..par usse pehle ek kaam toh kar lun...

ye bol mai wapas muda aur ek baar firse jaakar ANJALI ki photo ke paas pahuncha jispar maala chadhi hui thi aur agle hi pal.....

A/MOM-VICKY.............

mera naam lekar ANJALI ki mom zor se cheekhte hue tezi se aage badhi aur agle hi pal.....

CHATAAKHHHHH........

ek zor ka tamacha mere gaalon par apni mohar laga gaya......

par mujhe tamacha maarne ke baad NEHA aunty ke chehre par vismay ke bhaav ubhre..

reason.....thappad khaane ke baad mere chehre par ek smile aa gayi thi jisse dekh NEHA aunty aur unke saath hum teeno ke parents bhi shock hue the....

toh hua ye tha ki ANJALI ki pic ke paas pahunch maine Auski tasvir par chadhi maala ko nikal fek diya jis wajah se sab gharwaale shock aur NEHA aunty shock ke saath saath naaraz bhi ho gayi thi....

MOM- VICKY...ye kya harkat hai.....?????tune ANJU ki tasvir se maala kyun nikali????

MAI-us maala ka is tasvir par koi kaam nahi...

meri baat kisi ke bhi palle nahi padi thi aur isiliye...

MOM- ye tu kya bole jaa raha hai????

MAI- wahi jo aap sun rahi hai mom....aaj ke baad ANJU ki taswir par koi maala nahi chadhegi.....

jahan mujhpar haath uthane ke baad NEHA aunty roye jaa rahi thi wahin mere baaki sabhi gharwaalon ko toh kuch samajh me hi nahi aa raha tha....

par in sab ke beech mere dad jaante the ki mai kuch bhi yunhi nahi karunga aur khaas kar tab jab baat ANJALI ki ho isiliye....

DAD-asli baat kya hai VICKY????

DAD ki baat sun mai pehle muskuraya aur fir.....

MAI-dad,RONIT jis ladki ko chahta hai wo nahi chahti ki ANJALI ki pic par koi haar chadhe...

meri baat sun sabhi bohot shocked hue aur khaas kar NEHA aunty aur AKASH uncle....

dono hi nahi samajh paa rahe the ki jis ladki se RONIT pyaar karta hai,usse unki mari hui beti ke tasvir par chadhe haar se kya taklif ho sakti hai aur isiliye...

AKSAH UNCLE-beta....tu ye kya bol raha hai????bhala usse hamari beti ki tasvir par haar chadhane se kyun problem hone lagi....

MAI- ye aap usse hi puch lijiye.....

sabko laga ki mai mobile par call lagakar puchne ke liye keh raha hun isiliye....

AKSHA UNCLE- call laga...baat kara.....

MAI- uski zaroorat nahi hai uncle..wo yahin hai..aap usse saamne se puch lijiye...

meri baat sun sabhi chownke.....

DAD- yahin hai!!!!par kahan......?????

MAI-andar aa jaa.....ANJALI..........

mere andar aa jaa kehne par sabhi piche palte par jaise hi mere mooh se halka sa rook kar ANJALI nikla,toh sabke chehre wapas meri taraf ghum gaye....

sabko samajh me hi nahi aa raha tha ki mai kis ANJALI ki baat kar raha hun.....!!!!

wahin ANJALI jo ab tak hall ke dusri taraf INVISIBLE hokar khadi thi,mere pukarte hi wo jhat se visible hui aur agle hi pal baahari darwaze ke piche se apne kadam aage badha wo baahar nikli aur hall ke entrance ke beech me khadi hui...........

wahin mere mooh se ANJALI sunanane ke baad sabhi mujhe hi dekhe jaa rahe the par jaise hi ANJALI hall ke entrace par aayi toh...

MAI- piche paltiye.....

meri baat sun jaise hi sabhi piche palte toh...........

JHATKA......AVISHWAS.......STHBADH.......DARD.......KHUSHI......ADHEERTA.........ye saare expressions aur feelings paida hote chale gaye hum teeno ke parents ke chehre aur dilo dimag par.....

ANJALI hum sab ke saamne thi par abhi tak koi bhi apni jagah se hila tak nahi tha...

ek statue ki tarah sabhi ANJALI ko dekhe jaa rahe the...

unhe lag hi nahi raha tha maano ANJALI unke saamne hai..sabko yahi mehsoos ho raha tha ki ye koi khubsoorat sapna hai aur agar wo hile bhi toh ye sapna toot jaayega.....

wahin ANJALI bhi itne time baad apne mom dad aur baaki sabko dekh aankhon me paani liye chup chaap khadi hui thi.....

ab is sitiuation ko aage toh badhana hi tha isiliye mai aage badh NEHA aunty aur AKASH uncle ke paas pahuncha aur.....

MAI-yahi hai wo ladki jisse RONIT ne pasand kiya hai....aapki beti....jo zinda hai.ab aap hi batayiye ki ek zinda ladki apne tasvir par maala kaise tangi dekh sakti hai.....

aankhon me ab bhi avishwas ke aansu liye NEHA aunty aur AKASH uncle mujhe dekhne lage...

MAI- ye koi jhooth ya koi trick nahi hai uncle..trick wo tha jo aap sabko dikhaya gaya tha....

jis ANJALI ki body ko aap sabne dekha tha aur jalaya tha wo bas ek duplicate thi aur jo aapke saamne khadi hai,wo original hai matlab aapki beti hai.....

meri baat sun wahan khade hum teeno ke parents ke dimag me maano ek dhamaka sa hua...sabhi shocked hokar mujhe dekh hi rahe the ki.....

ANJALI-MOM.............DAD...............

wo do naam jo pure bramhaand ka saaransh hain,wo hum sabke aur khaas kar NEHA aunty aur AKASH uncle ke kaano me pada jisse sun un dono ke dilon me pade sukhe par baarish ho gayi....

ab tak shock se jad hue un dono ke pair maano ek jhatke me khul gaye aur wo dono apni beti ki taraf bhaage.....

kuch hi seconds me NEHA aunty aur AKASH uncle ANJALI ke saamne the...

ek tak kuch pal apni beti ko niharne ya fir ye kahun ki confirm karne ke baad ki ANJALI sach me unke saamne hi hai,NEHA aunty aage badhi aur agle hi pal unhone apni beti ko apni baahon me samet liya tha.....

NEHA aunty ne ANJALI ko itne zor se apne me chupa sa liya tha maano wo usse puri duniya se chhupa kar apne paas hifazat se rakh lena chahti ho...

wahin AKASH uncle bas apni beti ko bin aawaz neer bahate hue dekhe jaa rahe the...

aansu toh mere sabhi ghar waalon ke aankhon me bhi the .wo sabhi NEHA aunty aur AKASH uncle ke piche khade ho gaye the....

wahin ANJALI ko maine pehle hi apni mom dad aur baaki ghar waalon ki har taklif se roobaroo karwa diya tha isiliye wo sayyam me thi jo aise haalat me zaroori tha....

kaafi der baad bhi jab AUNTY ka rona khatm nahi hua toh......

ANJALI- mom.....please royiye mat..aap ko toh khush hona chahiye ki mai wapas aa gayi hun..i promise ki ab aapko chhodkar kahin nahi jaaungi....

ANJALI ki baat sunane ke baad bhi NEHA aunty kuch der tak yunhi roti rahi par fir dheere dheere unka rona subakne me badalne laga aur fir kuch der baad jab unka saara dard khatm hua toh wo apni beti se alag hui....

NEHA aunty ke alag hote hi ANJALI apne dad ke gale lag gayi...

dard toh AKASH uncle ka bhi aunty jitna hi tha ya fir ye kahun ki unse bhi zyada tha par unhone khud ko control karke rakha hua tha....

rokar wo apni beti ko nahi rulana chahte the.......bas unke mooh se ek hi sentence nikla aur wo ye ki....

AKASH UNCLE- dobara hume chhodkar mat jaana baccha.....

bas itna hi kaha AKASH uncle ne apni ladkhadati hui zubaan se par itna hi kaafi tha..

unka pyaar aur dar dono dikh gaya unki baat se....

kuch der tak apne dad ke gale lagne ke baad ANJALI unse alag hokar mere dad ke gale lag gayi...

akhir mere dad ki sabse laadli ANJALI hi thi...uski zidh ke aage meri aur RONIT dono ki baat nahi chalti thi.....

DAD se alag hokar ANJALI MOM ke paas gayi aur uske baad ek ke baad sabse mili...

jahan ek taraf sabko abhi bhi vishwas nahi ho raha tha ki unki bachi zinda hai aur unke saamne hai...

wahin DAD ke dimag me meri kahi baat chal rahi thi.....

aur jaise hi ANJALI se sabka milna pura hua...

DAD- VICKY.......tu kya bol raha tha ki jo hume dikhaya gaya tha wo jhooth tha..jo body ANJU ki humne jalayi thi wo duplicate thi....

DAD ki baat sun sabhi ke dimag ki ghanti baji aur sabhi meri taraf dekhne lage....

aur fir maine,RONIT ne aur ANJALI ne sabko wahi kahani sunayi jo maine YELEPTUS me banayi thi....

ANJALI aur RONIT ki dramatic acting ne meri kahani ko aur sacha bana diya tha..

par meri story sun mere gharwaalon ka dimag ghum gaya tha....

wahin ye jaankar ki mai shuru se hi ANJALI ko khojne me laga hua tha,mom aur dono aunties khush ho gaye the....

jaise hi meri story khatm hui,dad aur dono uncle baahar nikalne ko hue par tabhi...

MAI- dad.....MADDOX ab nahi raha aur uske baaki ke gharwaale bhi mar chuke hain..

so relax..bas aap itna dekh lijiyega ki agar kabhi MADDOX ki body mile toh humara naam nahi aaye...

DAD- uski tention mat le....kuch nahi hoga...

man hi man muskurate hue maine dad ko thanks kaha.....

HARPREET- yaar hamari beti hume wapas mil gayi hai....party toh honi chahiye aur media ko bhi toh handle karna hoga....unse kya kahenge???

DAD-wahi kahenge jo hua hai..bas us MADDOX ke chapter ko chuppana hai aur uski jagah kuch naya add karna hai....

ANJALI- papa,party nahi karenge...isse acha hum sabhi kahin ghumkar aa jaayenge...

DAD- ye bhi sahi hai..toh fir done.....kahan jaana hai,iska kal tak plan kar lo,2 ya 3 din me nikalte hain....

ab tak NEHA aunty chup thi,par dad ke bolne ke baad....

NEHA aunty-VICKY.....beta....

MAI- aunty please sorry mat kahiyega..aur waise bhi aapne mujhe thappad nahi maara tha balki as punishment maine thappad khaaya tha...

punishment ki maine ANJU ko aapke paas laane me itne deri kar di...saza ki aap sabko itne time tak ANJU ko mara samajhkar tadapte hue jeena pada...

maine NEHA aunty ki baat kaatkar aapne baat kahi jisse sun unhone mera maatha chum liya..

hum sab jaante the ki abhi NEHA aunty aur AKASH uncle ko apni beti se dher saari baat kari hogi aur upar se raat bhi kaafi ho chuki thi isiliye hum sab apne apne ghar nikal gaye..

ghar pahunch jab mom ne ANJALI ke zinda hone ki khabar naanaji,naanjiji,mamaji aur maamiji ko sunayi toh pehle toh baakiyon ki hi tarah sabhi ko zor ka jhatka laga par sabhi bohot zyada khush bhi ho gaye....

ANJALI ko dhund kar laane ke liye sabne mujhe aashirwaad diya...

sabhi ko g.n wish kar mai apne room me chala gaya....

subah se ab tak maine sabhi ko jhatke par jhatke diye the par ab ek jhatka mera bhi intazar kar raha tha........

IN MY ROOM:-

ABBE SAALI YE HAI KYA CHIZ JO MERI PAKAD ME NAHI AA RAHI HAI.....?????

room pahunch fresh ho mai dhyan me baith kuch pata lagane ki koshish karne laga par kaafi der tak koshish karne ke baad bhi jab mai successful nahi ho paaya toh maine apni aankhen khol ye baat budbudayi.....

darasal baat ye thi ki subah se hi mujhe apne andar ek ajeeb si bechaini mehsoos ho rahi thi,jiska mai reason nahi jaan paa raha tha...

normally jab mujhe us bechaini ka matlab samajh me nahi aaya tab maine ghar pahunch dhyan me uske baare me pata lagane ki sochi par is koshish me bhi mai fail hua....

MAI khud se-saala ab ye kya naya chakkar hai....?????kaise pata lagaun?????

maine khudse ye baat kahi hi thi ki tabhi mere seene ke beech vibrations hone lagi jisse mehsoos kar mai shocked ho gaya...

reason..mujhe pata tha ki ye vibration kyun ho rahi hai aur isiliye mere mooh se nikla.....

MAI- BHAVISHYAVAANI.....

maine apne seene me haath rakh BHAVISHVAANI ko baahar aane ki anumati di..

ek tez prakash ke beech me BHAVISHWAANI baahar aayi par saath hi mere liye ek naya jhatka lekar aayi...

aur wo aise ki mere andar kul teen BHAVISHYAVAANIYAN thi..

mujhe laga tha ki mere anumati dene ke baad koi ek BHAVISHYAVAANI baahar aayegi par yahan toh mere samane teeno BHAVISHYAVAANI jo ki charre ke roop me the,ek saath hawa me rooke hue the...

hairani ki baat ek aur thi.BHAVISHWAANI numa un teeno charron ke beech me kuch likha hua tha jo ki abhi tak kabhi nahi hua tha....

chaliye aap bhi jaan lijiye ki un BHAVISHYAWAANI numa charron me aisa kya likha tha jisse dekh mujhe hairani hui thi.....

Darasal,teeno chanakte charton me beech me unke kram likhe hue the..par sirf beech waale charre me hi normal number tha..

Baaki left end aur right end waale charre me ek nahi balki ek hi tarah se do do numbers likhe hue the...

Nahi samjhe,chaliye samjhata hun.....

Beech waale charre me 2 likha hua tha par uske right aur left waale dono hi charron me 1 ya 3, aisa likha hua tha..

Par mai iska matlab samajh chuka tha....mujhe left end ya fir right end waale charron me se kisi ek charre matlab BHAVISHVAANI ko chunana tha...

dono me se jisse bhi mai chunta,wo PEHLA ho jaata aur jisse nahi chunta wo TEESRA ho jaata....

Ab mujhe pata toh tha hi nahi ki kis charre me kya bhavishyawaani hai isiliye maine man hi man LEFT end waale charre kobchuna aur mere chunaav karte hi do cheezen hui..

Pehli cheez toh expected thi par dusri ne mujhe firse ek jhatka diya....

Chaliye pehle expected yaani pehli cheez ke baare me bata deta hun..

Toh mere chunaav karte hi LEFT waale charre par jo 1 ya 3 likha tha,usse 3 mit gaya aur right waape charre par se 1 meet gaya....

Aur dusri cheez jo hui aur jo unexpected thi wo ye thi ki un do charro ke upar jinme 1 aur 3 likha hua tha,ab unpar aur bhi kuch likha gaya jisse padh mujhe jhatka laga tha....

Mai is baare me soch hi raha tha ki tabhi wo charre chamakne lage jiska matlab tha ki filhal unka kaam khatm hua aur ab wo mere andar jaana chahte hain...

Mere ijazat dete hi teeno charre roopi BHAVISHVAANI mere seene ke andar chali gayi...

Aur mai un do charron ke upar jo likha tha unke baare me apne bed par letkar sochne laga....

MAI- kya matlab ho sakta hai 1ST aur 3RD BHAVISHYAVAANI ka.....

Ye bol mai un dono BHAVISHVAANIYON ke upar jo likha tha usse dohraane laga.....

1ST BHAVISHYAVAANI-ANGELS SACRIFICE......

3RD-BHAVISHYAVAANI-DEVILS DEMOLITION......

AAJ KE LIYE ITNA HI..........

AAPKA APNA V...J......
 
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI APNE GHAR WALON KE SAAMNE AA JAATI HAI WAHIN VIKRAM KE SAAMNE EK SAATH TEENO BHAVISHYAWAANIYAN BAAHAR AA JAATI HAIN JINME SE DO KE UPAR DO ANBUJHE SHADB LIKHE HOTE HAIN
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

UPDATE-113

PLANET-VRIHAKH

PLACE-MOUNTAINS TOP

ARRE....YE KAISI MAAYA HAI?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?NAA TOH DIKH RAHI HAI,NAAHI SAMAJH ME AA RAHI HAI...

BAS EK EHSAAS HAI AUR WO BHI KITNA NAKARATMAK?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?PAR KYA?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


SAMAJH TOH MUJHE BHI NAHI AA RAHA HAI SHAILA???AAKHIR AISI KAUN SI NAKARATMAK URJA HAI,JISSE HUM TEENO MEHSOOS TOH KAR PAA RAHE HAIN,KINTU SAMAJH BILKUL BHI NAHI PAA RAHE HAIN...

HAAN MOKALSAR,AUR YE KOI CHOTI BAAT NAHI HAI..ZAROOR KOI NAYI AUR BOHOT BADI AAPADA HUMARE CHARON TARAF HAI...

EK AISI AAPADA JISSE AGAR JALDI SE MITAYA NAHI GAYA TOH BOHOT GALAT HO JAAYEGA.....

KINTU HUM KAR BHI KYA SAKTE HAIN AKSHAANT.....JIS AAPADA KO HUM SAMAJH HI NAHI PAA RAHE,USSE LADENGE KAISE???

SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT teeno apne grah ke sabse pade aur ghane pahad ki choti par dhyan me baithe the...

waise toh dhyan me baithna,ye in teeno ne bachpan me hi shuru kar diya tha aur ab jab ye teeno ANGELS ki shakti rakhte the,toh apni apni shakti ko aur badhane ke liye in teeno ka dhyan me baithna anivaarya tha...

par abhi in teeno ke dhyan me baithne ka reason kuch alag aur zyada important tha..

darasal baat ye thi ki pichle kuch ghanton se in teeno ko pure bramhaand me ek negetive energy ki cover ka ehsaas hua tha...

aur ye feeling bohot strong thi jiske mehsoos hote hi in teeno ke man vichlit se ho gaye aur inhone turant us negetive energy ke cover ke baare me pata lagane ki sochi..

aur issi maksad ko pura karne ke liye teeno dhyan me baithe the par lagatar 2 ghante tak dhyan me rehne ke baawajud bhi teeno ko kuch pata nahi chala...

par ek baat zaroor hui aur wo ye ki jis negetive enegry ko ye talash rahe the,waqt ke sath saath inhe uska ehsaas aur asar badhta hua sa mehsoos hone laga..

jaise aasman me baarish hone se pehle ghanghor baadal dheere dheere aasaman ko gherte jaate hain,thik waise hi inhe us negetive energy ki shakti ke daayre ke badhne ka ehsaas ho raha tha.....

teeno ek dusre se is baare me lagatar baat kar solution ke liye naye naye ideas soch rahe the,par unhe kuch samajh me nahi aa raha tha....

aur jab ye prayas kar karke haar gaye toh....

SHAILA-VIKRAM......ab wahi hume is baare me kuch bata sakta hai...

AKSHAANT- haan...aur waise bhi usne toh is negetive energy ko hum sabse pehle hi feel kar liya hoga....

MOKALSAR- fel kya,ab tak toh usne iska solution bhi nikal liya hoga...

SHAILA- toh fir der kis baat ki.....turant VIKRAM ke paas chalte....

SHAIL ki baat par MOKALSAR aur AKSHAANT ne sehmati dete hue apni apni gardan hilayi aur agle hi pal teeno gayab ho chuke the....

PLANET-WARRIORS WORLD

PLACE-CLOUD COVER

YE KAISI ANISHTATHA KA ABHAAS MERE HRIDAY AVUM MASTISHKH ME HO RAHA HAI....

ITNI AJEEB AUR NIRJEEV BHAAVNA KA JANM TOH MERE ANDAR TAB BHI NAHI HUA THA JAB ASMODEUS NE MUJHE HARAKAR MERE GRAH KO APNA GULAM BANA LIYA THA....

TAB BHI MERA MAN ITNA VICHLIT NAHI HUA THA JAB ASMODEUS NE MUJHE US VIRAN GRAH ME KHOJ MERE MASTISHK KO APNE KABZE ME KAR LIYA THA....

FIR YE KAISA AABHAS,KAISI ASHANTI HAI JO MERE HRIDAY KO GHERE HUE HAI....

AUR SABSE BADI AUR AJEEB BAAT TOH YE HAI KI MAI CHAARON TARAF FAILI IS ASHANTI KO MEHSOOS TOH KAR PAA RAHA HUN,KINTU KAARAN NAHI JAAN PAA RAHA HUN....

thik MOKALSAR.SHAILA aur AKSHAANT ki hi tarah DEFENDER ko bhi kaafi der se wahi manhusiyat waali feeling aa rahi thi...

usse aisa lag raha tha maano uske aas paas har taraf kisi ne koi negetive SPELL bola hai jis wajah se pure vaayu mandal me koi invisible astra ne apna saamrajya sthaapit kar liya hai....

unhe bhi samajh nahi aa raha tha ki ye achanak hua toh hua kya hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


apni baat keh ya fir ye kahun ki apni becahini ki gaatha khud ko hi sunane ke baad DEFENDER bhi dhyan mudra me baith gaye taaki is negetivity ka jo wo feel kar rahe the,uska pata laga saken par.....

DEFENDER- ye ho kya raha hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
vaatarvaran me toh koi bhi dushit shakti ke aagman ka koi bhi sanket mujhe nahi mila...

sab kuch waisa hi hai jaisa kal tak tha...par fir mera man kisi anarth ke hone ka andesha kyun jata raha hai???

aisa kya hai jo saamne hokar bhi adrishya hai...aur agar saamne hai toh fir dikh kyun nahi raha.....

ab is guthi ko suljhane ka bas ek hi tarika hai....VIKRAM.....jo mai mehsoos kar raha hun,usse toh sabse pehle LORD ne hi mehsoos kiya hoga...

mujhe shighr atti shighr unke paas jaana chahiye taaki is anbujhe paheli ka arth unse jaan sakun....

apne nirnay par pahunch DEFENDER bhi VIKRAM se milne ke liye antardhyan ho gaye.......

PLACE- HEAVEN

S.T CECILA......KYA AAP BHI......!!!!!

JI HAAN S.T SEBASTIAN......MAI BHI WAHI MEHSOOS KAR RAHI HUN JO AAP KAR RAHE HAIN.....

S.T ALFRICK AAP.....

JI S.T CECILA....MAI BHI.....JIS NAKARATMAKTA KO AAP AUR S.T SEBASTIAN MEHSOOS KAR RAHE HAIN,USSI BHAAVNA NE MERE ANDAR BHI JANM LIYA HAI....

ek ke baad ek teeno GOD'S MESSENGERS ne apni apni baat kahi...

thik MOKALSAR,SHAILA,AKSHAANT aur DEFENDER ki hi tarah in teeno ko bhi ek negetivity ki diwal har taraf khadi hui mehsoos ho rahi thi par wo bhi iska kaaran nahi jaan paa rahe the....

ST SEBASTIAN-ab sirf LORD hi hain jo hume is baare me kuch bata sakte hain..hum teeno ko turant unke samaksh pahunch jaana chahiye....

ST CECILIA- par saamne jaane ki zaroorat hi kya hai???hum sab ANGELS toh LORD se jude hue hi hain...

hum unse yahin se baat kar sakte hain....

ST ALFRICK-ye aap kya keh rahi hain CECILIA.....kya aap bhul rahi hain ki aap kiski baat kar rahi hain....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


agar LORD chaahen toh humse kisi bhi tarah baat kar sakte hain par agar hum yunhi apni shakti ka istemaal kar unse jude aur apni baat unke saamne rakhen toh ye unka anadar hoga....

ye mat bhooliye ki hum unse hain,wo humse nahi....wo hum sabke LORD hain....kya karna hai aur kaise karna hai,iska faisla wo karenge,hum nahi..

hum bas unse nevedan kar sakte hain,apni jigyasa shaant karne ke liye unki ijazat lekar unse puch sakte hain par jo bhi hum karen,wo apni maryada me reh kar sahi tarike se kare toh bi behter hoga....

ST SEBASTIAN- aur waise bhi,tumhe kya lagta hai ki LORD ko wo sab mehsoos nahi hua jo hum mehsoos kar rahe hain..

arre unhe toh ye bhi pata hoga ki hum abhi is waqt kya baat kar rahe hain....???fir unse judkar unse baat karne ki zaroorat hi nahi hai....

par kyunki hum ANGELS hain aur pure bramhand me aachai aur burayi ki shakti ke beech ka santulan banaye rakhne ka kaam hume mila hai,isiliye jo nakaratmak shakti hum sab ko mehsoos ho rahi hai,uska raaz jaanane ke liye hume khud LORD ke saamne upasthith hona chahiye....

ST ALFRICK aur ST SEBASTIAN ki baat sun ST CECICILA ko apni galti ka ehsaas hua....

ST CECILA-aap dono bilkul sahi keh rahe hain....maine jo sujhav diya tha,wo sarvatha anuchit tha..hum teeno ko khud LORD ke saamne jaakar unse baat karni chahiye....

ST CECILA ki baat ke baad teeno MESSENGERS antar dhyan hone hi waale the ki tabhi.....

un teeno ke har taraf tez roshniyan chamki aur agle hi pal bramhand ke saare ANGELS us roshni ke beech se prakat hue...

prakat hote hi saare ANGELS teeno MESSENGERS ke saamne sir jhukar khade ho gaye....

wahin achanak saare ANGELS ko apne saamne dekh teeno MESSENGERS shocked the....

1ST ANGELS-MESSENGERS,ek bohot hi ajeeb baat hai jisse batane ke liye hum sab yahan aake saamne upasthith hue hain....

ST CECILIA- hum wo baat jaante hain...hume bhi pure bramhaand me kisi nakaratmak shakti ka abhaas ho raha hai....

2ND ANGELS-ji wo toh hai hi..kintu ek aur baat hai...

darasal hum sabki jis WHITE ENERGY se BLACK ENERGY sayammit rehti hai,ab ussi BLACK ENERGY se hum sab ki WHITE ENERGY asayammit ho rahi hai...

aisa lag raha hai jaise koi shakti humare shakti ko har taraf faile rehne se rokne ki koshish kar rahi hai....

1ST ANGEL- aur wo jo bhi shakti hai,wo bohot shaktishali hai..hum usse naa toh dekh paa rahe hain aur naahi samajh paa rahe hain..

hum sabki shakti bhi us shakti ke aage kamzor pratit ho rahi hai...

ab tak toh wo adrishya shakti thehri hui si lag rahi hai par agar kahin us shakti ne apna daayra badhane ki sochi,toh wo zaroor humari shakti ko sokh legi jiska anjaam hoga.....

ST SEBASTIAN-BRAMHAAND KA VINAASH....

ST SEBASTIAN ke mooh se ye shabd apne aap nikal gaye jisse sun sabhi vichlit ho gaye....

ST ALFRICK- ab hume aur intazar nahi karna chahiye...hum sabko turant LORD ke saamne pahunch jaana chahiye....

ST ALFRICK ki baat par sabhi ne haami bhari aur agle hi pal teeno MESSENGERS aur unke saath saath sabhi ANGELS antardhyan ho chuke the.....

PLANET- EARTH

PLACE-MINAKSHI MANSION

GOOD MORNING UNCLE.....

GOOD MORNING AUNTY.....

hall me ek saath entry karte hue ANJALI aur RONIT ne mere dad aur mom ko wish kiya....

DAD/MOM-good morning beta.....

dono ke wish dene ke baad dad ne ANJALI ko apne paas baitha liya....

MOM-mai tum dono ke liye breakfast lagati hun.....

ANJALI- nahiiiiiii.....................

jaise hi mom ne breakfast ki baat kahi,ANJALI ke mooh se turant aur zor se ye shabd nikle jisse sun mom aur dad shocked ho gaye....

MOM- kya hua baccha...tu aise kyun react kar rahi hai...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANJALI-aunty,kal se lekar abhi ghar se nikalne tak mom aur dad mujhe bas kuch na kuch khilate hi jaa rahe hain...

12 ghanton me hi maine pure 1 mahine ka khaana khaa liya hai....

ANJALI ki baat par RONIT,MOM DAD teeno has diye....

MOM- tu toh naashta karega naa?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT- nahi aunty..aaj mujhe bhi mom ne thus thus kar breakfast karaya hai...

ANJALI-uncle,naanu,naani,maama,maami kahan hain....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

HUM YAHAN HAI BETI.......

isse pehle ki ANJALI ke sawal par dad kuch jawab dete,ANJALI ke peeche se ye awaaz aayi jisse sun ANJALI turant palti.....

is waqt ANJALI ke theek peeche naanu,naani,maamaji,maamiji sab khade the.....aur sabhi ke aankhen paani se bhari hui thi...

par ye aansu khushi ke the..itne arse ke baad ANJALI ko zinda dekhne ki khushi....

ANJALI bhi turant uthi aur bhaagte hue naanu ke paas pahunch gayi...

sir par apne aashirwaad ka haath rakhte hue naanu ne bhi ANJALI ko apne gale se laga liya..

nanu ke baad ANJALI naani,maamu,aur maamiji se bhi mili...

ANJALI ko apne saamne zinda dekh sabhi khushi se fule nahi sama rahe the..

kisi ko vishwas hi nahi ho raha tha ki ye sach hai...aur aisa feel karna bilkul obvious tha.....

kisi ne kabhi ummid nahi ki thi ki ye khushi unhe kabhi naseeb hogi.....

kuch der ke liye maahoul kaafi emotional ho gaya
tha....par ANJALI aisa nahi chahti thi isiliye....

ANJALI- arre ye toh batayiye ki mere golu molu AASHI aur RAJ kahan hain...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?school gaye hain kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAAMIJI- haan ANJU.....wo dono school gaye hain...parso se dono ke exams hain,isiliye leave lena thik nahi tha...

ANJALI-ohh....

GOOD MORNING UNCLE,GOOD MORNING AUNTY.......

koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz hall me gunj uthi jo aur kisi ki nahi balki meri jaan AVANTIKA ki thi....

MOM/DAD-good morning AVNI....aao beta.......

ek pyaari si smile ke saath AVANTIKA aage badhi par tabhi uski nazar right side par khade NAANU,NAANI,MAAMA,MAAMI aur unke baaju me khade RONIT,ANJALI par padi...

AVANTIKA turant naanu ki taraf badhi aur un tak pahunch naanu,naani ke pair chu liye..

wo maamaji aur maamiji ke bhi pair chune ko hui par dono ne bina usse jhukne diye usse aashirwad de diya..

mom dad AVANTIKA ke gesture karne ke tarike ko dekh kar kaafi impress hue the....

ANJALI- hey babes.....

RONIT- hey AVNI.....

AVANTIKA- hey guyzz.......

greet ka jawab de jaise hi AVANTIKA ne ANJALI aur uske baad RONIT ko side hug kiya toh.....

RONIT-apne in laws ko jitna zyada ho sake,impress kar le taaki teri baat aage badhe....

AVANTIKA- haha very funny.........

RONIT ke mazak ka jawab de AVANTIKA palti aur mere mom dad ke paas pahunch jaise hi unke pair chhune ko hui....

DAD- arre bacha,betiyan pair nahi chhua karti.....

MOM- aao beta,aap nashta kar lo...

AVANTIKA- no aunty,i am full....

MOM- tum sab aj kal ke bache,mutthi bhar khaate nahi ki pet bhar jaata hai...pata nahi aage kaise karoge.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

MAI-thik hai mom..kal se do mutthi khayenge......khush.....

mom ki baat ka sidhi utarte hue maine jawab diya jisse sun sabhi has diye....

MOM- isse toh bas baat karwalo.....

MAI-aapko toh khush hona chahiye mom ki aapka beta aapse sikh raha hai.....

kuch pal lage,par jab mom ko meri baat ka matlab samajh me aaya toh....

MOM- kya kaha badmash???tu mujhse baat karna sikhta hai..matlab mai bohot zyada bolti hun....ruk tu zara.......

MAI- arre mom,mere kehne ka matlab tha ki meri mom bohot sweet bolti hai aur mai wahi sweetness sikh raha hun...

MOM- oye maa hun teri...mere saamne baaton ko ghumane ki koshish naa kar....mujhe sab samajh me aata hai...

MAI- wo toh aayega hi..aakhir V.J ki mom jo ho.....thoda asar toh hoga hi....

MOM- kya bola tu???

ye bol mom meri taraf badhi par mai turant dad ke paas jaa unke peeche khada ho gaya.....

MOM- badmaash........

mujhe dad ke peeche chhupte dekh mom bhi haste hue wahi rook gayi.....

DAD- chalo,ab tum sab milkar fatafat plan kar lo ki kahan jaana hai????hum kal hi nikal jaayenge...

ANJALI- arre haan,V.J tune hum dono ke parents ko kyun bulaya hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANJALI ki baat sun uske aur RONIT ke saath mere parents bhi mujhe sawal bhari aankhon se dekhne lage....

MAI- 1 minute rook,batata hun.......

abhi maine apni baat kahi hi thi tabhi hall ke entrance se RONIT aur ANJALI ke parents enter hue....

ek dusre ko greet karne ke baad sabki nazar mujhpar aakar tik gayi....

MAI-dad,uncles,hum sab ghumne kahin nahi jaa rahe....tour ka plan fir kabhi kar lenge....

meri baat sun sabhi shocked ho gaye.....

DAD- par kyun beta???koi khaas wajah???

MAI- hai naa dad..aur wo bhi bohot important....

RONIT,ANJU.....mere aur tum dono ke dads ka lagatar ek week tak london aur japan ke clients ke saath meeting hai....

agar ye meeting cancel hui toh dad aur uncles ke haath se billions ki deal nikal jaayegi.....

ANJALI- WHATTTTT???dad,itni badi deal line up hai aur aap sab ghumne jaane ki baat kar rahe ho....

jahan meri baat sun dad aur uncles shocked hue wahin ANJALI ki baat sun.....

DAD-beta,deals toh hoti rehti hai....par kaam tum teeno se zyada important toh nahi hai naa....

tu hume wapas mili hai,isse badi baat kya ho sakti hai....is khushi ke mouke ko celebrate karne se zyada aur kuch zaroori nahi hai....

dad ki baat sun ANJALI aage badhi aur dad ke gale lag gayi.....

MAI-dad,bhale hi deal humse important naa ho,par us deal se jo hoga,wo hum teeno se bohot zyada important hai....

meri baat sun ek baar firse sabhi meri taraf sawal bhari nazaron se dekhne lage...

MAI-jo deal ki baat ho rahi hai,us deal ke final hote hi jo bhi profit hoga,dad aur uncles ne us profit ka 10 % donate karne ka ek clause rakha hai....

wo 10 % najane kitni hi besahara zindagi ko ek naye disha me lejaane ke kaam aane waala hai....

ab aap sab hi batayiye,aise cause ko agar sirf isiliye rok diya jaaye kyunki hume celebrate karna hai,toh kya ye sahi hai???...

meri baat sun dad aur mom ka seena thoda aur ful gaya tha wahin mere aur RONIT aur ANJALi ki family bhi meri baat sun khush ho gayi thi...

ANJALI- tour cancel....uncle,aap meri har wish dad se bhi pehle puri karte hain...toh meri yahi wish hai ki aap teeno ye deal karen..

bus mujhe yahi chahiye aur kuch nahi.....& thats final......

DAD- thik hai princess..agar tum sab yahi chahte ho toh fir yahi hoga.....

waise VICKY,ek baat bata,hamari deal ki saari baatein tujhe kaise pata???

dad ki baat sun mere saare frnz aur AVANTIKA andar hi andar has diye....

ab jo sach tha wo toh keh nahi sakta tha isiliye.....

MAI-dad,bhale hi mai aapka business filhal nahi samabhal raha hun,par aapki saari files mai padhta rehta hun....

ussise mujhe aapke is hafte ki deal ke baare me pata chala aur aaj morning me bhi aap apni secretary se saare meetings reshcedule karne ki baat kar rahe the jo maine sun li thi....

meri baat sun dad aur unke saath saath sabhi muskura diye....

muskura toh mai aur mere saath saath ANJALI aur RONIT bhi rahe the par humari smile ka reason kuch aur tha.....

kya,chaliye batata hun....

darasal jab mai dad se baat kar raha tha tabhi mere chaaron taraf kuch bohot strong shaktiyon ka abhaas hum teeno ko hua tha..

ye shaktiyan aur koi nahi balki AKSHAANT,MOKALSAR,SHAILA,THE THREE GODS MESSENGER aur ANGELS the jo adrishya awastha me humare chaaron taraf khade hue the.....

mai jaanta tha ki ye sab yahan kyun hain aur isiliye....

MAI- mom,dad hum sab upar mere room jaa rahe hain...

MOM- thik hai..tum sab jaao,mai tum sab ke liye coffee bhijwati hun....

MAI-cool...

ye bol mai aage badh gaya aur mere saath saath hi AVANTIKA,ANJALI aur RONIT bhi stairs ke taraf badh gaye.....

IN MY ROOM:-

ABBE YE SAB EK SAATH YAHAN????KOI PROBLEM HAI KYA?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT ki baat sun jahan ek taraf mai has diya wahin ANJALI usse ghur kar dekhne lagi jisse dekh RONIT hadbada gaya.....

wahin AVANTIKA ko toh kuch samajh me hi nahi aaya aur isiliye.....

AVANTIKA- sab ek saath yahan matlab???kiski baat kar raha hai???kaun hai yahan?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI- khud hi dekh lo....saamne aa jaayiye....

mere bolte hi tez prakash ke beech wahi maaya hui jo ANGELS ke mere room me aate hi har baar hoti thi....

mere room ka daayra badhta chala gaya aur dekhte hi dekhte us daayre ne ek anthin kamre ki shakal le li..

jaise hi is maaya ne apna kaam kiya,uske agle hi pal jo roshni humare chaaron taraf faili thi,wo roshni ghatathi chali gayi aur ab humare ek taraf VRIHAKH ke teeno dost,dusri taraf WARRIORS WORLD/ISLA ke DEFENDER,teesri taraf THE THREE GODS MESSENGER aur chouthi taraf saare ANGELS khade the.....

in sabko ek saath dekh AVANTIKA shocked ho gayi....usse andaza ho gaya tha ki koi bohot hi important baat hai aur isiliye hi ye sab ek saath mere paas aaye hain.....

wahin mere saamne aate hi DEFENDER,ANGELS aur GODS MESSENGER apne ghutno par aa gaye...

MAI- khade ho jaayiye....

mere bolte hi sabhi wapas khade ho gaye....

S.T SEBASTIAN-LORD....aapko toh sab pata hai...kripya hume bhi is anbujhi paheli ka matlab samajhayen....

RONIT- bhai,ye sab kis baare me baat kar rahe hain.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?kuch hua hai kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT ki baat sun ek baar firse ANJALI ne usse ghur kar dekha....

MAI-kal se ab tak tu ek baar bhi dhyan me baitha hai???

RONIT- nahi.....

RONIT ne thoda darte hue apni baat kahi thi..usse bhi andaza ho gaya tha ki dhyan me naa baithne ki wajah se usse kuch bohot hi important chhut gaya hai.....

MAI-wajah jaan sakta hun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT- bhai,wo kal ANJALI ke milne ki khushi ki wajah se...

MAI- tu apna kartavya bhul gaya.....tu bhul gaya ki ab tu koi sadharan manushya nahi hai...

ANGELS ki shakti hai tujhme..ye shakti show off ke liye nahi hai RONIT,is shakti ke saath ek zimmedari aati hai....pure bramhaand aur manushya jaati ki rakhwaali ki zimeedari...

personally hume kitni hi khushi ya gum kyun naa ho...par uske liye apne kartavya se mooh nahi moda jaata RONIT......

tujhe toh kal sirf ek rishta wapas mila tha....par ANJU ko toh ek saath kitne hi rishte wapas mil gaye the...

tere pyaar ka,apne maa baap ka,mere aur tere mom dad ke pyaar ka rishta....in sab khushiyon ke baawjud ANJU ko jo thoda time mila tha,usme bhi wo turant dhyan me baithi thi taaki apne kartavya ka paalan kar sake....

sochne ki baat hai naa,kyun RONIT......
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png
?

meri baat sun RONIT ko apne bhul ka ehsaas hua....

RONIT- sorry yaar..mujhe dhyan dena chahiye tha.....

MAI-aage se dhyan rakhna...aur abhi jo hua hai,wo khud pata laga....

meri baat sun RONIT turant jahan khada tha,wahin dhyan mudra me baith gaya...

apni sabhi indriyon ko jaga RONIT ne jaise hi khudko pure universe se joda,uski aankhen ek jhatke me khul gayi....

usse bhi wahi jhatka laga jo baaki sabko laga tha...

RONIT- ye sab kya hai????aisa alag raha hai maano universe ke saare jeeven deyi grah me ek saath kisi nakaratmak taakat ne ghera bana liya ho.....

MAI- hmm...issiki wajah jaanane ke liye ye sab yahan aaye hain...

par filhal mai aap sab ki jigyasa shaant karne me asamarth hun....

mujhe bhi aap sab ki hi tarah koi idea nahi hai ki ye nayi maaya aakhir hai kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


meri baat sun sabhi ko ek jhatka laga..kisi ko bhi mujhse yun negetive answer ki ummid nahi thi....

MAI- mai aap sab ki manodasha samajhta hun...par baat ye hai ki jis nakaratmak shakti ka bhed janane ke liye aap sab yahan aaye hain,usne khud ko ek point par laa kar chhupa liya hai...

aisa lag raha hai maano jisne bhi ye maaya rachi hai,usne khudko is SPELL ke asar se nikle us nakaratmak energy se kaat sa liya hai...

us nakaratmak energy ka power source pure bramhaand me failne ke baad band sa ho gaya hai...

aisa pratit ho raha hai maano usse koi mediator chahiye,khudko aage badhane ke liye...

aise halaat me mai kaise uske baare me pata laga sakta hun...haan,agar us nakaratmak shakti se bani chaadar me halki si bhi movement ho,hulchul ho,toh mai uske shroth ka pata laga usse nasht kar sakta hun...

tab tak mai ya aap sab kuch nahi kar sakte....

jahan ek taraf meri asamrthatha sunkar sabhi sad hue wahin ye sunkar ki kuch bhi galat ghatethe hi mujhe sab pata chal jaayega aur mai usse thik bhi kar dunga,sabko santosh hua...

mujhse ijazat lekar sabhi wapas apne apne sthaan ki taraf antardhyaan ho gaye.....

ANJALI- yaar tune bol toh diya par jo problem tujhe tak samajh me nahi aa rahi hai,wo koi choti baat toh hogi nahi....

MAI- jaanta hun...isiliye jahan jahan ye nakaratmak energy ne apna dera daala hai,maine har us jagah ko khudse jod liya hai....

RONIT- toh ab???

MAI- ab kya???yahan baithe baithe kya karenge...chalo,hum chaaron kahin ghum kar aate hain....

ANJALI- haan yaar,arsa beet gaya hum sabko ek saath hang out kiye hue...

aur aaj toh maza aayega..kyunki aaj hum sab sirf frnz ki tarah nahi balki 2 couples ki tarah ghumenge.....

ANJALI ki baat sun hum sab has diye....

RONIT- par chalen kahan???

MAI= jab lover ki tarah ghumna hai toh lovers point chalte hain.....

RONIT- haan bhai,ye sahi rahega.....wahin chalte hain...

kahan jaana hai tay kar hum sab neeche gaye.ghar waalon se permission lekar hum sab lovers point ki taraf nikal gaye......

PLACE-LOVER'S POINT

WOW YAAR,KYA NAZARA HAI.....

ek ghante ki drive ke baad hum sab jab LOVERS POINT pahunche toh baag aur us baag me lage rang birange phoolon ko dekh RONIT ke mooh se ye taarif nikli....

MAI- yahan pehli baar aa raha hai kya???beta nazara wahi hai aur hum bhi...

bas rishton ke maayno me ferbadal hua hai jis wajah se ye jagah aur khubsoorat lag rahi hai....

pehle jab tu yahan aata tha tab ANJALI sirf teri frn thi aur ab tere dil ki dhadkan hai...

RONIT- waise ye baat mai bhi tere baare me keh sakta hun....pehle AVNI bhi teri frn hi thi par ab teri G.F hai....

maayne toh tere relationship status ke bhi badle hain....

MAI-bilkul nahi..bhale hi pehle mai aur AVNI frnz the,par hum dono ke dilon ne ek dusre ko humare ikraar se pehle hi kubool kar liya tha....

aur hum dono hi tum dono ki tarah duffer bhi nahi the jo apne hi dilon ki awaaz ko nazarandaz karen...

hamari dosti me bhi ishq tha,mohobbat thi,pyar tha par tum dono ke mohobbat me bhi dosti thi....

RONIT- bas kar mere bhai...galti ho gayi jo maine compare kiya.....

RONIT ne haath jodte hue apni baat kahi jisse sun hum sab has diye....

RONIT- toh ab kis taraf chalen....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI- oye itni jaldi bhul gaya kya??aaj hum as couple yahan aaye hain..isiliye tum dono apni khamoshi dhundo,hum dono apni...

AVANTIKA ka haath thaam uski aakhon me apna aks dekhte hue maine ye baat kahi jisse sun aur dekh AVANTIKA muskura uthi.....

ANJALI-le,ye dono toh abhi se ek dusre ki aankhon me doob gaye...chal RONIT,inhe akela chhod hum apna aashiyana dhhondte hain....

haste hue ANJALI aur RONIT ek taraf chal diye..wahin mai bhi AVANTIKA ka haath thaame dusri taraf nikal pada....

kuch der tak yunhi chalne ke baad jahan RONIT aur ANJALI ek fountain ke paas ki ghaans par baithe wahin mai aur AVANTIKA chalte hue ek khubsoorat ped ke paas pahunche jispar rang birange colour ke phool lage hue the....

hum dono wahi us ped ke neeche baith gaye.....

NOTE:-DONO COUPLES KE CONVERSATION ONE BY ONE LIKHI JAAYEGI:-

RONIT/ANJALI:-

ANJALI- aise kya dekh rahe ho.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


RONIT- tere is khubsoorat chehre ko....pata hai ANJU,jab hum dono ne ek dusre ko propose kiya tab mujhe yakin hi nahi hua ki tu sach me meri ho gayi....

ye toh ek aisa sapna tha jo mere liye meri zindagi se bhi badhkar tha jo aakhirkaar sach ho gaya....

humare rishton ke maayne badle,ek dusre ko dekhna ka tarika badla,hum do hote hue bhi ek ho gaye....

zindagi itni khubsoorat ho jaayegi,ye kabhi socha hi nahi tha....par fir wo din aaya jab tujhe mujhse door kar diya gaya...

aur kudrat ka mazak dekh ki mujhe apni hi barbaadi ki khabar tak nahi thi...mai toh ek lambi behoshi me chala gaya tha..

jab utha tab pata chala ki meri rooh mere jism se alag ho chuki hai...aur mai jeete jee mar gaya...

saans toh le raha tha par zinda hun,ye ehsaas mar chuka tha....bas ek maksad tha ki jo mere saath hua hai,wo aur kisi ke saath naa ho....

mere is jasbaat is ehsaas ko mere BHAI ne samjha aur mujhe ek aise safar me le gaya jahan se mai apne maksad ko anjam dene ke laayak ban paata....

itna sab kuch hua...maine wo sab haasil kiya jo mujhe chahiye tha par tere jaane se jo khaalipan mere andar ghar bana gaya tha,wo waisa hi raha....

SHADOW WORLD toh mai is soch ke saath gaya tha ki apne maksad ki shuruat karunga par mujhe kya pata tha ki us maayavi planet me mujhe meri zindagi wapas mil jaayegi....

aaj tu mere saamne hai,pata hai aaj bhi mujhe wahi feel aa raha hai jo us din aaya tha jab hum dono ne ek dusre ko propose kiya tha....

kahin ye sapna toh nahi hai naa ANJU.....

ye bol ANJALI ko chhune ke liye RONIT ne apna haath badhaya maano wakayi usse touch karkar tasalli kar lena chahta ho ki sach me ANJALI zinda hai aur uske saamne hai...

RONIT ki hatheli ANJALI ke gaal ko sehlane lagi..ANJALI ne bhi apne gaal par RONIT ke haath ko daba sa liya....

ANJALI-hum dono ek ho jaayen,ye sapna sirf aapka nahi tha RONIT.....mera bhi tha....aur jab mujhe aapse alag kar diya gaya toh meri bhi zindagi ujad gayi thi....

aapke chehre ko apne aakhon me basaye is ummid ko jalaye hue ki ek din hum dono ek dusre se zaroor milenge,maine apne vanvaas ka har din kaata hai....

aaj jaise aapko mujhe apne saamne dekh kar bhi yakin nahi ho raha hai naa ki mai sach me aapke saamne hun,thik waisi hi feeling mujhe bhi aa rahi hai...

par mai jaanti hun ki hum dono saath hain..ye sach hai aur ye sach ab kabhi nahi badlega....

ANJALI ki baat sun RONIT muskura diya....

RONIT- waise tu mujhe aap kyun bol rahi hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


ANJALI-mujhe acha lagta hai...sabke saamne agar maine aaisa kaha toh hum dono ka sab mazak udayenge...isiliye akele mai mai aapko aap kehkar hi bulaungi....

aur aap mujhe tu hi kehna kyunki mujhe aapka waise mujhe bulana hi acha lagta hai....

ANJALI ki baat sun RONIT fir se muskura diya....

RONIT-I LUV U ANJU......

ANJALI-I LUV U TOO RONIT....

ishqe-izhaar ke baad ANJALI aur RONIT,dono hi aage badhte gaye aur dekhte hi dekhte dono ke lab aapas me jud chuke the....

VIKRAM/AVANTIKA

MAI-jo dil me hai,wo keh dena chahiye AV...

AVANTIKA-dil me toh tum ho...ab tumhe tumse kaise kahun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI-ussi awaaz se jo dil ke dhadakne se nikalta hai...ussi awaaz me mujhe ek shikayat sunayi de rahi hai,mai ussiki baat kar raha hun....

AVANTIKA-sunayi de rahi hai ya tumne man padha hai mera?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI-bilkul padha hai par apni heavenly shaktiyon ki madad se nahi balki apni spiritual shakti ki help se...

AVANTIKA- spiritual shakti!!!wo kya hota hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI-MOHOBBAT......ye wo wire hai jiska connection directly aapke heart se hai...

issi connection se mujhtak ye feeling pahunchi hai ki aapke man me kuch chal raha hai....

AVANTIKA-jab feeling pahunch chuki hai toh fir puch kyun rahe ho???

MAI- kyunki sawal tumhara hai......puchna toh tumhe hi padega naa???

kuch der tak meri aankhon me dekhte rehne ke baad.....

AVANTIKA-kabhi kabhi mujhe dar lagta hai V.J.....jo bhi hua hai,aur jo bhi ho raha hai,wo ek aise raaste ke taraf le jaa raha hai jiske baare me tumhe tak kuch nahi pata....

mai jaanti hun ki tum har mushkil se nikalne me capable ho,par kabhi kabhi zyada kaabiliyat bhi nuksaan pahuncha deti hai....

mai ye bhi jaanti hun ki tum haar se nahi darte,par mujhe us haar se milne waali saza se dar lagta hai.....

jo ummid har kisiko tumse hai,mujhe us ummid se dar lagta hai...

har kisiko tumhari kaamiyaabi dikhti hai,par mujhe us kaamiyaabi ke liye tumhari di gayi keemat ke baare me soch kar dar lagta hai....

kisi ke liye tum dost ho toh kisi ke liye LORD OF ANGELS,par mere toh tum sab kuch ho V.J......mujhe is sab kuch ke kho jaane ka dar lagta hai....

bohot dar lagta hai mujhe....

aapni baat kehte waqt jo aansu AVANTIKA ke aankhon me thehre se hue the,wo aakhri labz kehte kehte apni seema laangte hue baahar chalak pade....

par iss pehle ki wo aansu neeche zamin par girte,maine unhe hawa me hi rok diya....

MAI-itni saari shikayaten apne andar lekar jee rahi ho tum aur kehti ho ki dil me sirf mai hi hun....

jaanti ho mujhe kisse dar lagta hai???in motiyon se jo tumhare aankhon se nikle hain.....

inke liye apni aakhon me jagah mat banaya karo AV...kyunki tumhare aankhon me aane waale ye aansu hi meri sabse badi haar hai.....

meri baat khatm khatm hote hue wo aansu jo maine hawa me roke hue the,wo gaayab ho gaye....

wahin meri baat sun AVANTIKA jhat se mere gale lag gayi.....

MAI-tum meri SHAKTI ho AV....bhale mai hi kyun naa kamzor padun,par tum kamzaor kabhi mat padna...

kyunki ek tum hi ho,jisse dekh mai bure se bure haalat se bhi ladhkar baahar aa sakta hun...

ab mai ek sawal puchun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


meri baat sun AVANTIKA mujhse alag hui aur mujhe dekhne lagi....

MAI-RONIT,ANJALI,AKSHAANT,SHAILA,MOKALSAR.....in sabko maine aloukik shaktiyan di par tumhe kabhi kuch nahi diya....

kya kabhi is baat se tum upset hui ho???kya kabhi tumhe laga ki tumhare paas bhi ye sab hona chahiye....

apne zimmedaariyon ko nibhaane ki wajah se maine tumhe kabhi theek se time nahi diya...

wo moments jo har couple ek dusre ke saath spend karte hain,maine tumhe wo khushi kabhi nahi di.....

kya kabhi is baat se tumhe taklif nahi hui?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


meri baat sun AVANTIKA muskura di....

AVANTIKA- shaktiyan???jo shaktiyan tumne tumhare doston ko di hai,wo isiliye di kyunki unhe uski zaroorat thi taaki wo apni jung khud lad saken...

par meri toh har jung tumhari hi hai...tumhari beshumaar powers kahin na kahin meri bhi milkiyat hai...

jab tumse tumhare BHAI ne tumhari pehchaan cheeni thi tab wo pehchaan tumhare doston ke paas nahi mere paas thi..

aaj bhi itni shaktiyan haasil karne ke baad bhi tumhare kisi bhi dost me itni taaqat nahi ki tumhari shaktiyan sambhal sake par mai ye kar sakti hun wo bhi bina kisi shakti ke....

jab bina koi power mile mujhe aise aise adhikar mile hain jo aur kisiko nahi mil sakte toh fir mai udaas kyun rahun....

aur rahi baat tumhari mujhe time nahi dene ki toh janab,

ISHQ KIYA HAI AAPSE,KOI SOUDA NAHI JINME SHARTE LAAGU HO.....

tum mere andar mujhse zyada ho V.J....meri rag rag me khoon se zyada tumhari MOHOBBAT behti hai...

aur tumhe aisa kyun lagta hai ki tum mujhe waqt nahi dete....

NAA TUM SIRF TUM HO,AUR NAA MAI SIRF MAI HUN...TUMME TUMHARE SAATH MAI HUN AUR MUJHME MERE SAATH TUM HO....

AUR JAB MAI AUR TUM MILKAR "HUM" BAN JAATA HAI,TOH RISHTA WAQT KA MOHTAAJ NAHI HOTA....

aaj shayad pehli baat AVANTIKA ki baat ya fir ye kahun ki uski FEELING uske andar se puri tarah baahar aayi thi jisse sun mujhe aisa laga maano mere andar ki aatm glaani ke registaan par baarish ki bouchaar ho gayi ho.......

MAI- par fir bhi mai tumhe kuch dena chahta hun..aur wo hai WAADA...mai tumse waada karta hun AV ki mai tumhari har wish puri karunga. .

Bhale hi usse pura karne ke liye mujhe kuch bhi kyun naa karna pade,par mai karunga...

Meri baat sun AVANTIKA bas halke se muskura di.....

MAI-I LUV U AV.......

AVANTIKA-I LUV U MORE V.J......

izhaare ishq ke baad lab khaamosh toh hue par unki tadap badh gayi jisse mitane ka ek hi tarika tha aur isiliye....

mai aur AVANTIKA aage jhukte chale gaye aur agle hi pal hum dono ke labon ne ek dusre ko apna liya tha.....

kitne pal beete pata hi nai chala aur shayad aage bhi pata nahi chalta par tabhi......

ek zor ke jhatka mujhe laga jiske lagte hi mai turant AVANTIKA se alag ho gaya...

mujhe yun jhatka lagte dekh AVANTIKA hairan reh gayi....

aur jab uski aankhen mere chehre par padi toh uski hairaani aur badh gayi....

reason....mere ankhon me is waqt itna shock tha jo aaj tak kabhi bhi nahi aaya tha...

mai kuch keh hi nahi paa raha tha..bas chehre par shock ke expressions liye ek tak shunya me ghure jaa raha tha....

kuch der tak wait karne ke baad bhi jab mere expressions nahi badle,toh AVANTIKA ne mere kandhe ko jhanjhora tab kahin jaakar mai apne present me wapas aaya....

AVANTIKA-kya hua hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


MAI- hume turant ghar ke liye nikalna hoga....

maine AVANTIKA ek sawal ko gol kar apni baat kahi..AVANTIKA ne bhi fir dobara kuch nahi kaha aur hum dono khade ho gaye...

MAI man me-ANJALI,RONIT,tuarnt entrance gate par pahuncho....

ANJALI aur RONIT jo abhi bhi kiss kar rahe the,un dono ke dimag me jaise hi meri awaaz gunji,toh dono ko hi jhatka sa laga aur dono turant alag ho gaye...

meri awaaz me jo hadbadi thi,wo dono hi bhaamp gaye the,isiliye bina kuch kahe hi dono turant uthe aur entrace gate ki taraf badh gaye.....

ANJALI- kya baat hai V.J????kuch hua hai kya???

entrace par aate hi ANJALI ne mujhse pucha...

MAI-ghar chalo..pata chal jaayega....

ye bol mai parking ki taraf tezi se badh gaya.....

mere peeche peeche hi teeno bhi hairan pareshan se aane lage...

sabke car me baiththe hi maine car ghar ki taraf douda di...

mere ghar me sab pata chal jaayega bolne ki wajah se kisi ne bhi raaste me mujhse kuch nahi pucha....par sabhi ke chehre par pareshani ke bhaav ab bhi the....

raaste me mujhe ek call aaya jo meri mom ka tha..maine call uthaya..saamne se kuch kaha gaya jisse sun mai turant aa raha hun kehkar maine call kaat diya....

PLACE-MINAKSHI MANSION

ARRE,HUM DONO KE PARENTS TOH AB TAK YAHIN PAR HAIN...PAR YE SAB ITNE SERIOUS KYUN LAG RAHE HAIN....

ghar me enter hote hi RONIT ne apni baat kahi....

MAI- thodi der rook,sab pata chal jaayega........

ye bol mai thoda aur aage badha aur...

MAI-DAD......

meri awaaz sun dad aur unke saath saath sabki nazar hum chaaron par padi...ab tak mai sofe ke paas pahunch chuka tha...

MAI- are u alright dad????mom ne bataya ki aapka accident hua hai???

DAD- tum bhi na MINU...bacche ghumne gaye the,tumne bekaar me hi in sab ko panic kar diya...

i'm good beta...wo highway egde par car zara zyada skeet kar gayi...saamne ke dono tyre burst ho gaye par mujhe kuch nahi hua but haan hamare driver ko thodi chot aayi hai...

wo sab chhodo,inse milo.....inhone meri bohot help ki...jab humara accident hua toh inki car wahi se paas ho rahi thi...

humara accident hote dekh inhone apne driver se bol hamare driver ko hospital pahunchwaya aur mujhe yahan ghar tak lift bhi kar diya....

UNKNOWN-UNCLE,aap mujhe badon jaise INHONE kyun keh rahe hain..mai bhi aapke bete ki hi tarah hun..infact aapko toh maine similarity bhi batayi hai...

DAD- arre haan....pata hai VICKY,ye greece me paida hua hai par iske mom dad indain hain aur sabse kamaal ki baat ye hai ki iske dad naam bhi JAIRAJ SINGH hai aur mom ka naam MINAKSHI SINGH...hai naa kamaal ka ittefaaq....

aur is young lad ka naam hai....

UNKNOWN- mai apna intro khud dunga....waise aapka naam toh ab tak mujhe pata chal hi chuka hai. ..VIKRAM right!!!.....and me......

HI,MY NAME IS...... "ASMODEUS"......

AAJ KE LIYE ITNA HI....

AAPKA APNA V..J....
 
AB TAK AAPNE PADHA KI LOVERS POINT PAR KUCH PYAR BHARE LAMHE GUZARNE KE BAAD JAB VIKRAM AND PARTY GHAR PAHUNCHTI HAI TOH UN SABKO ASMODEUS KO DEKH EK BOHOT BADA JHATKA LAGTA HAI
AB AAGE:-

FINAL CHAPTER

(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)

MEGA BLACK UPDATE-114

PLACE-HEAVEN

YE SAB KYA HAI????ASMODEUS WO BHI LORD KE GHAR ME......AISA DUSSAHAS KARNE KI WO SOCH BHI KAISE SAKTA HAI???

S.T CECILIA....AAP BHUL RAHIN HAI KI WO KAUN HAI????MAANE YA NAA MAANE,PAR WO BHI PARMESHWAR PUTR HAI...

BAL ME VIKRAM JITNA HI SHAKTISHALI KINTU CHHAL ME LORD SE BHI ZYADA CHALTA HAI USKA DIMAG....

PAR SAWAL AAPKA APNI JAGAH PAR BILKUL UCCHIT HAI....AAKHIR ASMODEUS KA LORD KE GHAR ME AANE KA KYA PRAYOJAN HO SAKTA HAI....

S.T CECILIA ki baat ko S.T ALFRICK ne aage badhaya par is beech S.T SEBASTIAN ekdam shant rahe....

jaise unhone in dono ki baat suni hi naa ho...wo apne hi kisi dimagi manthan me vyast lag rahe the....

wahin apni apni baat keh jab S.T CECILIA aur S.T ALFRICK ka dhyan S.T SEBASTIAN par gaya toh undono ne bhi unhe gehri soch me dube paaya....

S.T CECILIA-S.T SEBASTIAN.....!!!!!!

apna naam sun S.T SEBASTIAN jaise achanak apni soch se baahar aaye..apni soch se baahar aa unki nazar S.T CECILIA par theher gayi....

S.T CECILIA-aap kis soch me khoye hue hain????

S.T SEBASTIAN-ussi soch me jiski baat aap dono kar rahe hain kintu....

S.T ALFRICK-kintu kya???

S.T SEBASTIAN- mai kuch aur bhi soch raha tha....kya aapko ye baat ajeeb nahi lagi ki hum sabko kaafi der se kisi nakaratmak shakti ka abhaas bramhaand ke samast jeeven deyi grah par ho raha tha jiske baare me hum pata bhi nahi laga paa rahe the aur issi vichitr sthithi ke dauran ASMODEUS ka LORD ke ghar par aagaman hua hai....

kya aapko lagta hai ki ye saari baatein kewal ek sanjog ho sakti hai???

ST CECILIA- aapka sahi keh rahe hain S.T SEBASTIAN....in dono ghatnao ka ek saath hona koi sanjog nahi ho sakta....

S.T ALFRICK- par agar ye sanjog nahi hai toh fir hai kya???kya karne ki soch raha hai ASMODEUS.....????

S.T SEBASTIAN-ye toh sirf khud ASMODEUS hi bata sakta hai jo wo batayega nahi....

bas itna kaha jaa sakta hai ki jo bhi hone waala hai,wo kisine bhi socha tak nahi hoga....

kuch anisht,bohot bada anisht hone waala hai.....

S.T SEBASTIAN ki baat sun dono MESSENGERS bohot zyada tention me aa gaye.....

S.T ALFRICK- bhale hi hum teeno ko apni jaan hi kyun naa deni pade,kintu hum ASMODEUS ko apni chaal me kaamiyab nahi hone denge....

S.T CECILA-aap thik keh rahe hain S.T ALFRICK....hum teeno turant prithvi ke liye prasthan karte hain aur har waqt hamesha ASMODEUS ke aas paas hi rahenge...

hum teeno ko apne aas paas dekh ASMODEUS jis bhi jaal ko bun raha hai,usse chhod hum teeno se yudh karne me lag jaayega....

aise me shayad uska bichaya maaya jaal toot jaaye...aap kya kehte hain S.T SEBASTIAN????

isse pehle ki S.T SEBASTIAN kuch kehte......

AAP TEENO KAHIN NAHI JAA RAHE HAIN....

jaise hi ye awaaz teeno MESSENGERS ke kaano me gunji,teeno ke haath judte chale gaye aur teeno turant apne apne ghutno par aa gaye....

aana hi tha,kyunki ye awaaz aur kisi ki nahi balki GOD ki thi....

GOD-AAPKO BHI PATA HAI KI AAP TEENO MILKAR BHI ASMODEUS KA SAAMNA NAHI KAR SAKTE...

PHIR YE HAASYAPAD NIRNAY KIS AADHAR PAR LIYA AAPNE....

MAINE APNE EK BETE KE LIYE APNE DUSRE BETE KO BHEJA HAI...ASMODEUS KA SAAMNA KARNE KA SAAMARTHYA AUR KARTAVYA,SIRF AUR SIRF VIKRAM KA HAI....

AAP TEENO WAHI KAARYA KIJIYE JISSE KARNE KA AADESH AAPKO MILA HAI...YE KAHANI IN DO BHAIYON KI HAI AUR SAMAY AA GAYA HAI JAB YE DONO IS KAHANI KO ISKE ANJAAM TAK PAHUNCHAYENGE....

S.T SEBASTIAN-HEY PARAM PITAH PARMESHWAR...kya hum kuch puch sakte hain????

GOD-AAP YAHI JAANANA CHAHTE HAIN NAA KI KIS UDDESHYA KI PURTI HETU ASMODEUS VIKRAM KE PAAS GAYA HAI????

S.T SEBASTIAN-jee PARAM PITAH....aakhir kya chahiye ASMODEUS ko LORD se???

GOD-BALIDAAN.......

GOD ki baat sun teeno MEESENGERS shocked ho gaye....

S.T SEBASTIAN-BALIDAAN????kaisa BALIDAAN????

GOD-SWAYAM KA YA BRAMHAAND KA......

PLANET-EARTH

PLACE-LONAVLA FARM HOUSE

WAISE DAD EK BAAT TOH MANANA PADEGA....AGE KA AAPKE BODY KE UPAR KOI KHAAS FARK PADA NAHI HAI..AAP AAJ BHI KISI YOUNG BANDE KI HI TARAH FIT HAIN....

ARRE BETA,JAB WIFE ITNI BEAUTIFUL HO JISSE DEKH AAJ BHI LOG USKA PICHA KAREN,AAHEN BHARE,TOH FIR BAAT COMPETITION KI AA JAATI HAI...

AISE ME KHUD KO FIT TOH RAKHNA HI PADEGA NAA.....

AAP BHI NAA KUCH BHI BOL DETE HO....KABHI TOH SAMJHA KARO KI AB AAPKI UMR NAHI RAHI YUN KHULEAAM FLIRT KARNE KI...

ARRE KYA BAAT KAR RAHIN HAIN MOM..U SHOULD TOH FEEL LUCKY JO AAPKO AISE HUSBAND MILE HAIN JO SHAADI KE ITNE SAALON BAAD BHI AAPSE APNE DIL KI BAAT KHULLE AAM KARTE HAIN....

KITNE COUPLE HONGE JO AISA KAR PAATE HONGE????

is baat par sabhi ne sehmati jatayi...

LONAVLA....MUMBAI jaise bheed bhare sheher se kuch 83 km door pahaodon ke saaye me basi ek khubsoorat jagah..

aur issi khubsoorat jagah ke beech bani ek khubsoorat farmhouse jo ki hamari hi mikliyat hai aur jahan is waqt hum teeno friends aur hamari families is waqt 2 din ke holiday ke liye aaye hue hain...

darasal 3 din ke back to back meetings ke baad dad aur uncles ka 2 din off tha...

in do dino ke off ko khaas banane ke liye sabne LONAVLA jaane ki baat kahi aur hence hum sab yahan hain....

baat se yaad aaya jo conversation filhal hui jisme ek bande ne JAIRAJ aur MINAKSHI ko dad aur mom lafz se sambhodit kiya,wo MAI nahi tha balki ASMODEUS tha...

darasal ASMODEUS ne mere mom aur dad se kaha tha ki uske bhi mom dad ka naam JAIRAJ SINGH aur MINAKSHI SINGH hai..

itna hi nahi,usne ye bhi kaha ki mere mom dad usse uske mom dad ki yaad dilate hain...

aur isiliye kya wo mere mom dad ko mom aur dad ko dad kekhakar bula sakta hai???

ASMODEUS ki baat sun mere mom dad khush ho gaye aur khaas kar mom...

reason...simple hai bhai,jis bande ne unke suhag ke accident ke waqt unki help ki,wo toh unhe pyaara lagega hi....

upar se kamina hai toh mera hi bhai..is wajah se saale se vibe bhi meri hi tarah aati hai jo mere mom dad ko bhi feel hui jis wajah se unhe bhi ASMODEUS naamak jantu me mai dikhne laga tha....

RONIT- bhai,tere saath rehkar
na jaane kitne hi jhatke dekhe aur jhelen hain...par is baar jo jhatka laga hai waisa jhatka aaj tak nahi mila.....

tera ye khurapaati bhai achanak se hamare ghar me prakat hota hai....uske baad hamare gharwaale isse hamare saath yahan holiday manane ke liye invite karte hain jisse ye khushi khushi maan leta hai....

phir janab tere mom dad ko apne mom dad kehkar bulane lagte hain....saala ye sab chal kya raha hai....???

ANJALI- sabse bada jhatka ye nahi hai RONIT...sabse badda jhatka hai iski yahan aane ki timing...

tumhe ye ajeeb nahi lagta ki jab pure universe me achanak hi ek negetive energy ki chaadar prakat ho gayi ho thik ussi waqt ASMODEUS yahan humare saamne aaya hai...

i mean abhi hi kyun ye yahan aaya hai jabki agar ye sab isne kiya hai jo ki mai sure hun ki ki ye sab issi ka kiya dhara hai,toh aise me toh isse V.J se bohot door chale jaana chahiye taaki V.J chahkar bhi iske jhol ka pata naa laga paaye par ye toh ulta kar raha hai...

ye khud yahan V.J ke saamne hai aur ye yunhi nahi ho sakta....zaroor kuch na kuch toh iske dimag me chal raha hai...

RONIT- ye bhi toh ho sakta hai ki ye hamara mazak udane aur apni jeet ka jash manane yahan aaya ho..

isse ye baat pata ho ki hum iske maaya jaal ko nahi samajh paa rahe hain aur isiliye hume neecha dikhane yahan aaya ho...

MAI- ASMODEUS unme se hai jinhe manzil se zyada safar me maza aata hai aur aise log kabhi bhi dusre ke haar par unhe chidhate nahi hain.....isse sirf apni jeet se matlab hai saamne waale ki haar se nahi....

AVANTIKA-V.J,jab se ASMODEUS aaya hai tum chup se ho gaye ho...kya tumhe pata chal chuka hai ki iske yahan aane ka maksad kya hai???

MAI- agar pata chal chuka hota toh ab tak mai sab thik kar chuka hota....mai toh bas us chiz ko dekhne ki koshish kar raha hun jo mere aankhon ke saamne hote hue bhi invisible hai....

us lekhani ko padhne ki koshish me hun jo saaf saaf likha hua hai par fir bhi samajh me nahi aa raha....

us hawa ko mehsoos karne ki koshish kar raha hun jo mere andar toh jaa rahi hai,par bina mujhe chhue hue....

ARRE AISA KAUN SA GAME KHEL RAHE HO BHAI JO HUMARE SAATH BAITHNE TAK KI FURSAT NAHI HAI TUMHARE PAAS.....

abhi hummese koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz aayi jo aur kisi ki nahi ASMODEUS ki thi...

apni baat keh dad se permission le wo meri taraf badha wahin uske meri taraf aate waqt...

MOM-pata nahi kyun par isse dekhte waqt aisa lagta hai jaise mai VICKY ko hi dekh rahi hun.....

DAD-mujhe bhi same feeling aati hai...aisa lagta hai jaise ye aur VICKY siblings hon....

wahan mom aur dad ASMODEUS ko jo ki mera hi BHAI hai,usse apni samajh se mera BHAI banane par tule hue the aur yahan...

ASMODEUS-kya hua BHAI....kuch waqt humare saath bhi bitalo...kya pata fir mouka mile naa mile,aur agar mile bhi,toh shayad aalam itne khushgawar naa ho....

RONIT- oye dialogue ke dukaan...pehle tu ye bata aur sidhe sidhe bata ki yahan aaya kyun hai....????

ab saale is RONIT ka mai karu toh kya karun.....??ek number ka mooh fat hai ye...zara sa bhi nahi sochta ki saamne kaun khada hai...???

jis lihaz se RONIT ne ASMODEUS se baat ki thi,shayad aur kisi ne ki hoti toh uski rooh uske jism se ab tak alag ho chuki hoti...

ASMODEUS-jab pata ho ki tum us kile ke andar ho jo bramhaand ke sabse bade tufaan ko bhi jhel sakta hai toh aksar ghamand aa jaata hai....

par tumhe ye nahi bhulna chahiye ki bhaade ki zindagi par itraya nahi karte...naajane kab zindagi mout ke hawale ho jaaye...

MAI-kiraye ke makaano me rehne waale logon ko achanak nikaale jaane ka dar rehta hai...

jiska khudka makan ho,usse kaisa dar...jahaz kitna hi bada kyun naa ho,samandar me uththi leheron se khatra usse hi rehta hai,samandar ke andar basne waali choti choti machliyon ko nahi....

RONIT wahi machli hai jo mere samandar me hai...mere rehte usse kaisa khatra..khatra toh tum jaise bade jahaz ko hai...hamari lehro se zara bachke rehna...pata nahi isme kab doob jaao...

ASMODEUS- jahaz ko samandar ki leheron se kitna hi khatra kyun naa ho,par jahaz banti samandar ke liye hi hai mere bhai...

aur rahi baat doobne ki toh jahaz dubega ya nahi,ye jahaz par nahi balki us jahaz ko chalane waale ki hunar par nirbhar karta hai...

aur jis jahaz ko ASMODEUS chala raha ho,usse dubone ki gurbat kisi samandar me nahi....

MAI- pata hai SHER apne jungle ka raaja hota hai...par sirf tab tak jab tak usse khunkhaar sher us jungle me apne panje nahi jamata...

mousam,fitrat aur TAQHT,teeno ko hi badalne me WAQT nahi lagta mere BHAI....

ASMODEUS-WAQT.....WAQT se yaad aaya ki WAQT aa gaya hai....

nahi samjhe,samjhata hun......

mujhe yahan apni family ke beech dekh jo uthal puthal tumhare man me chal rahi hai,jo sawal tumhare dimag me ghar kiye baithe hain,un sawalon ke jawab milne ka WAQT AA GAYA HAI....

naa sirf jawab milne ka,par un jawabon se jo chizen saamne aayengi,tumhara unse saamna karne ka WAQT AA GAYA HAI....

naa sirf saamna karne ka,balki saamna karne ke baad aakhir me jab asliyat tumhare saamne hogi,toh us asliyat par apne faisle ka mohar lagane ka WAQT AA GAYA HAI....

MERE BHAI,WAQT AA GAYA HAI.....

ASMODEUS ki baat sunte waqt mere chehre par koi expressions nahi the par mera dil,mere dimag dono me hi is waqt bhuchaal sa aaya hua tha....

mujhe pata toh nahi tha ki kya hone waala hai,par andaza zaroor ho gaya tha ki jo bhi hoga,wo meri soch se bhi upar aur khatarnaak hone waala hai....

yahan mai apni soch me goom tha par tabhi.......

KADKADKADKAD.................

ek zordaar bijli ki awaaz hum sabke kaano me gunji...ye awaaz normal se bohot zyada tez thi jisse sun jahan ek taraf RONIT,ANJALI aur AVANTIKA shocked hue wahin mere ghar waale halka dar se gaye the.....

yun achanak itni zor ke bijli ke kadakne se jahan ek taraf sabhi ke chehron par dar aur shock ke reactions the wahin ASMODEUS mand mand muskura raha tha....

MOM-VICKY,ANJU,RONIT,AVNI,ASMODEUS beta yahan aao....

sabhi apni apni sochon me goom the ki tabhi mom ne hum sabko apne paas bulaya....

hum sab bhi jahan saare gharwaale baithe the,us taraf chal pade....

DAD- ye achanak kya hua??aaj toh mousam kaafi saaf hai naa....fir ye achanak bijli kahan se kadak gayi....

MOM- aur wo bhi itni tez..maine aaj tak itni zor ki bijli kadakte kabhi bhi nahi suna hai...

yun achanak itni tez bijli ki kadakne ki wajah se sabhi gharwaale apni apni pratikriya de hi rahe the ki tabhi.....

mujhe ek zor ka jhatka laga...ye jhatka sirf mujhe hi nahi balki mere saath saath ANJALI aur RONIT ko bhi laga tha....

ek dusre ke chehre ko dekhte hue humne turant is jhatke ke kaaran ke paas jaan ka faisla kiya aur....

MAI- mom,hum upar room me hain....

MOM- beta,ASMODEUS ko bhi le jaao..yahan humare saath rehkar bore ho jaayega....

jahan ek taraf mom ki baat sun ANJALI aur RONIT ke chehre par tention ke bhaav ubhre wahin ASMODEUS ke chehre par smile aa gayi...

abhi mai mom ki baat ke liye kuch kehta ki tabhi....

ASMODEUS- nahi mom..mai yahan aap logon ke saath hi rahunga....

ASMODEUS ki baat sun mujhe kuch atpatta laga...mujhe laga tha ki wo hume akele kahin jaane nahi dega par yahan toh ulta ho gaya par filhal jo ho raha tha,usse nipatna zyada zaroori tha isiliye...

MAI- lets go guyzzzz......

hum sab upar waale room ki taraf badh chale.....

upar chalte waqt mujhe ek khayal aaya par maine us khayal ko apne dimag se jhatak diya....

AVANTIKA- kya hua guyzz??tum sab itne tention me kyun ho???

ANJALI- wo BLACK ENERGY ki chaadar yaad hai jo kuch dino se pure universe me faile si gayi hai par dikh nahi rahi.....

AVANTIKA- haan.par uska kya???

ANJALI- ISLA me wo ENERGY active ho gayi hai....

V.J ne pure grah me apne shields bichayen hain,jiski wajah se wo BLACK ENERGY aage nahi badh paa rahi par.....

AVANTIKA- par kya???

RONIT- par iska ek negetive effect hua hai.....us negetive ENERGY ka effect itna zyada hai ki V.J ki shield se takrane ke baad uske kan vibrate ho rahe hain jiska asar ISLA ke zamin par ho raha hai....

us NEGETIVE ENERGY ke saath saath ab wahan ki zamin par bhi vibrations hone lage hain....

agar kuch der aur aisa chalta raha toh pure ISLA ko zor ke jhatke lagne lagenge..

wahan ki zamin ke neeche jo laava hai,wo fatkar baahar aa jayega..wahan par jo floating mountains hain,wo bhi asthir hokar neeche gir jaayenge jisse bohot zyada nuksaan hoga....

in short,jo ho raha hai,agar usse roka nahi gaya,toh ISLA bas kuch hi der me khatm ho jaayega.....

ANJALI ki baat sun AVANTIKA ko zor ka jhatka laga..jitna usne ya fir hum sabne anticipate kiya tha,ye toh usse bhi zyada khatarnaak tha...

bhale hi is waqt sirf ek grah khatre me tha,par ASMODEUS ne toh same haalaat universe ke har PLANET me kar rakhe the....

ASMODEUS ne sahi hi kaha tha..jo sawal mere dimag me chal rahe the,finnaly mujhe unke kuch bhaagon ka jawab mil gaya tha aur naahi sirf jawab mila tha,balki jaisa ki ASMODEUS ne kaha tha,hamara un jawabon ka saamna karne ka WAQT BHI AA CHUKA THA.....

MAI-AV,tum yahin rooko...hum ISLA ke haalat ko theek karke aate hain...

AVANTIKA ko sab bata hum teeno gayab ho chuke the.....

PLANET- ISLA

PLACE-FLOATING MOUNTAIN

YE KAISI MAAYA HAI????MAI IS KAMPAN KO PURI TARAH SE ROK KYUN NAHI PAA RAHA HUN.....

MERE UCCHARIT KIYE HUE HAR MANTRA KA ASAR TOH IN PAHADON PAR HO RAHA HAI,PAR KEWAL KUCH HI SHAN KE LIYE....

KUCH SHAN PASHCHAT MERE MANTRO KA PRABHAV APNE AAP HI KHATM HO JAA RAHA HAI.....

AGAR AISA HI CHALTA RAHA,YE KAMPAN YUNHI HOTE RAHE TOH SIRF KUCH WAQT KI BAAT HAI,YE PAHAD IN KAMPAN KO BARDASHT NAHI KAR PAAYENGE AUR NEECHE GIR JAAYENGE...

AUR AGAR AISA HUA TOH.....NAHI NAHI,MAI AISA NAHI HONE DE SAKTA....EK BAAR AUR PRAYAS KARKE DEKHTA HUN....

ye bol DEFENDER jaise hi apna agle SPELL bolne ko hue....

KOI FAAYDA NAHI HOGA......AAP IS KAMPAN KO NAHI ROK PAAYENGE.....

jaise hi ye awaaz DEFENDER ke kaano me gunji,DEFENDER ke chehre par ek muskurahat naach gayi....

awaaz ke gunjne ke agle hi second DEFENDER ke saamne ek tez roshni hui aur us roshni ke beech me se mai,ANJALI aur RONIT prakat hue....

MAI- khade ho jaayiye DEFENDER....

DEFENDER-LORD,jis adrishya shakti ne samast bramhaand ko ghere hue tha,aakhirkaar usne aage badhna aarambh kar diya hai.....

maine isse rokne ki bohot koshish ki,kintu mai bas kuch pal ke liye hi kaamiyab ho paaya.....

kuch der tak rookne ke baad ye mere mantron ko viphal kar rahi hai....

MAI- iska kaaran mere dwara bichaya gaya SHIELD hai....wo adrishya shakti mere SHIELD se chipak usse dhakka dene ki koshish kar rahi hai..

wo isme kaamiyab toh nahi ho paa rahi kintu meri SHIELD aur us nakaratmak shakti ke takrane ki wajah se ye kampan ho rahi hai....

BOOM........

abhi koi kuch kehta ki tabhi hamare uttari bhaag se is dhamake ki awaaz aayi jisse sun DEFENDER aur mere dono dost chownke....

MAI- kampan sirf in pahadon me hi nahi ho raha hai,balki zamin ke andar bhi ho raha hai....

ussi kampan ke fal swaroop yahan se uttari kshetra me jo van hai,wahan LAVA fata hai...

aap sab shighr wahan pahunche aur us LAVA ko roken....

anyatha agar us laava ne us van me moujud vriksho ko chhua,toh pura jungle aag ki chapet me aa jayega....

meri baat sun RONIT,ANJALI aur DEFENDER teeno gayab ho gaye.....

MAI- ab in vibrations ka kya karun????inhe jad se mitane ke liye mujhe pehle apne SHIELD ko hatana hoga....

par uske baad mujhe kuch seconds toh kamsekam chahiye hi honge is NEGETIVE ENERGY ko khatm karne ke liye...

agar is dauran ye har taraf faile gayi toh isse khatm karne ke chakkar me pura ISLA khatm ho jaayega.....

ye toh acha hai ki ab tak ye jo kuch bhi ho raha hai,ye yahan ke logon ke rehwasi ilakon se door ho raha hai..

warna ab tak toh pure ISLA me hadkamp mach jaata.....

WAHIN JUNGLE ME:-

RONIT- arre,ye LAVA toh badi tezi se aage badh raha hai....

ANJALI- haan,aisa lag raha hai maano isse koi dhakka de raha hai...

RONIT-aur koi kya,iske piche bhi wahi NEGETIVE ENERGY hogi....

DEFENDER- haan,par ek baat achi hai aur wo ye ki ab tak ye lava jis jagah par hain,wahan sirf chote chote poudhe aur ghaans hai...

isiliye van ko koi khaas haani ab tak nahi pahunchi hai...

ANJALI- ye bas kuch samay ki hi baat hai...jis tezi aur teevrata se ye LAVA aage badh raha hai,kuch hi palon me ye is jungle ke mukhya bhaag yaani ghane area me hoga aur agar aisa hua toh yahan kuch bhi nahi bachega...

isiliye hume jo bhi karna hai,wo turant karna hoga....

RONIT- ek kaam karta hun,mai is jagah par baarish karwata hun....

ANJALI-idea toh thik hai par utne se kaam nahi hoga...saath me kuch aur bhi lagega....

haan,ek kaam karti hun,jo paani girega,mai usme chakrawat paida karti hun....

us chakrawat ki shakti se baarish ka prabhav aur badh jaayega jisse wo lava ko apne andar kheench legi....

DEFENDER-jaise hi tum RONIT ke dwara girayi baarish me chakrawat paida karogi,aur wo chakrawat laava se takrayegi,toh mujhe pura vishwas hai ki us laava ke saath saath chal rahe NAKARATMAK URJA me bhi badlav aayega...

ho sakta hai ki wo laava ko aniyantrit karde...isiliye mai uske aas paas ke sabhi jagahon par apni SHIELD bicha dunga....isse aniyantrit hone ke baawjud bhi wo urja kuch kar nahi paayegi....

RONIT- haan,ye theek rahega..lets do it guyz....

ye bol........

PRACHAND VARSHA KAROTI

FIERY RAIN FALL

ye SPELL RONIT ne kaha tha..SPELL ke uccharit hote hi upar aasman me ek tez garjana hui aur agle hi pal sirf us area me jahan laava faila hua tha,tez baarish hone lagi....

jaise hi baarish ne raftar pakdi....

CHAKRAWAT AVIRBHAVATI

WHIRLWIND APPEAR

ye SPELL ANJALI ne kaha tha...SPELL ke uccharit hote hi RONIT dwara barsayi gayi baarish ke ird gird ek chakrawat ne janm lena shuru kiya aur kuch hi palon me us chakrawaat ne ugr yaani intense roop le liya...

us chakrawat ne khudko paani me lapetna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte us paani se bhare chakrawaat ne pure laava ko khudme sokhna shuru kar diya.....

ab baari thi DEFENDER ki aur isiliye.....

CARMIKYA

SHIEILD THATS BOUND WITH A DUTY

DEFENDER ke SPELL uccharit karte hi ANJALI dwara banaye gaye chakrawaat ke chaaro taraf ek SHIELD ban gayi jiska ye matlab tha ki wo laava aur us laava se juda hua wo NEGETIVE ENERGY ab fas chuke the.....

kuch pal tak bheeshan baarish hoti rahi jis me baras rahe paani ko khudme chipka wo chakrawat laava ko sametne hue ek jagah par ghumta raha....

kuch waqt tak ye sab chalta raha aur fir dekhte hi dekhte wo laava khatm hone laga aur kuch hi palon me us van me sirf barsaat aur chakravaat hi tha,laava khatm ho chuka tha....

ANJALI/RONIT-YESSSSS...........

MANTRA SAMAPTAM

SPELL.OVER.....

ANJALI aur RONIT ne ye SPELL saath bola jiske uccharit hote hi baarish aur chakrawaat khatm ho gaye...

DEFENDER- bohot khub.......kaafi achi yukti sochi thi tum dono ne....

ANJALI/RONIT- dhanyawaad......

ye bol teeno wapas gayab ho gaye.....

BACK TO HERO:-

ANGELS..........

mere man hi man aisa kehte hi kuch ANGELS mere aage prakat hue.....

MAI-mai apne SHIELD ko hatane jaa raha hun...jab aisa hoga tab uske piche chhupi nakaratmak urja tezi se har taraf failne lagegi....

isiliye mere SHIELD ke hatathe hi aap sabko apni shakti se us nakaratmak urja ko kuch pal tak roke rakhna hai.....

ANGELS-ji LORD......

ANGELS ko unka kaam samjhakar maine ek pal ke liye apni SHIELD ko dekha aur agle hi pal....

KAWACH PRANAZYATI

SHIELD VANISH......

mere SPELL uccharit karte hi meri SHIELD gayab ho gayi aur tabhi.....

wo nakartmak shakti jisse meri SHIELD ne rok rakha tha,wo azaad ho gayi jis wajah se wo har taraf failne lagi par tabhi......

mere aas paa khade ANGELS ne apne apne haath aage kiye....

unke aisa karte hi un sabke haathon se tez WHITE ENERGY ki rays nikalkar us NEGETIVE ENERGY se takrayi....

par itna kaafi nahi tha.....ANGELS ke chhode gaye rays se wo NEGETIVE ENERGY dheere toh hui par rooki nahi...aur isiliye.....

PARYAVASYATI VIBJUTI VIMUKTI

COMPLETE POWER RELEASE

ANGELS ne is SPELL ka ek saath uccharan kiya aur unke aisa karte hi...

saare ANGELS ke haath ke saath saath unke saare sharir se rays nikalne lagi jo asal me unki puri urja thi...

wo saari rays ek saath aage badhte hue unke saamne khade us NEGETIVE ENERGY se takrayi aur aisa hote hi ek saath do chizen hui....

pehli.....wo NEGETIVE ENEGRY ek jagah par rook gayi....

dusri....us NEGETIVE ENERGY ka kuch bhaag mere ANGELS ke chhode gaye rays se bandhkar ANGELS ko bhi chhune laga jis wajah se jaise kuch der pehle tak FLOATING MOUNTAINS vibrate kar rahe the,thik waise hi ab saare ANGELS vibrate karne lage...

mai samajh chuka tha ki agar maine kuch pal ki bhi deri aur ki toh saare ANGELS khatm ho jaayenge aur isiliye.....

SHAKTIYEM VINASHATE

ENERGY DESTROY

jaise hi maine SPELL bola....BOOM..........

ek tez dhamake ke saath wo NEGETIVE ENERGY ki chaadar blast ho gayi....

par iske saath ek aur cheez hui....mere saare ANGELS jo ki naa chahte hue bhi us NEGETIVE ENERGY se jude hue the,dhamake ka impact un sab par bhi hua....

dhamaka hote hi wo saare ABGELS piche ki taraf ud gaye...

un sabki aankhen band ho chuki thi..kisi neerjeev prani ki bhaati dheele ho wo sab hawa me ludhke hue se tair rahe the....

aaj mujhe khudpar bohot ghussa aa raha tha..mai in sabka LORD tha...aaj jaise mere aadesh par inhone khudki parwah naa karte hue apna kartavya nibhaya tha,thik waisa hi kuch daayitv mera bhi in sabke prati tha...

in sabki suraksha meri zimmedari thi...par jo hua usse badla toh nahi jaa sakta tha par haan,thik zaroor kiya jaa sakta tha aur isiliye.....

mere haathon se kuch rays nikli jo sidhe jaakar saare ANGELS se takrayi aur kuch hi palon me nirjeev se pade saare ANGELS thik ho chuke the...

thik hote hi mujhe dhyanyawaad kehne ke liye jaise hi wo kuch bolne ko hue....

MAI-kuch kehne ki zaroorat nahi hai...aapne apna kartavya nibhaya aur maine apna..aap jaa sakte hain....

mere kehte hi saare ANGELS ek baar mere aage jhuke aur agle hi pal wo sab gayab ho chuke the....

jaise hi ANGELS gayab hue,thik tabhi RONIT,ANJALI aur DEFENDER mere saamne prakat hue...

RONIT- arre waah,yahan ki problem bhi khatm ho gayi....

MAI- hmm..wapas chalte hain...

DEFENDER se alvida keh hum teeno gayab ho gaye is baat se anjaan ki jis samasya ko hum khatm hua samajh rahe the wo bhi humari hi tarah sirf gayab hua hai,khatm nahi.......

PLACE-LONAVLA,FARM HOUSE

KYA HUA????SAB THIK HO GAYA NAA???

excitement aur tention ke beech fasi AVANTIKA ne hamare wapas aate hi humse pucha hi tha ki tabhi.....

mujhe ek zor ka jhatka laga.....SAB THIK HAI...ye shabd jo mere mooh se baahar aane hi waale the,wo wapas mere andar chale gaye....

aakhen meri ajaani aashankaon se ghiri dikhne lagi thi....

wahi in sab se anjaan ANJALI aur RONIT...

RONIT- haan,ab sab kuch under control hai.....

ANJALI- ek pal ke liye toh laga tha ki shayad hum kaamiyab nahi honge,par hum kaamiyab hue....

AVANTIKA-mujhe toh aisa nahi lagta....

ANJALI/RONIT- matlab????

AVANTIKA jo mujhe hi dekhe jaa rahi thi aur saath hi mere chehre ke badlte bhaavon ko bhi note kar rahi thi,usne RONIT aur ANJALI ko meri taraf dekhne ka ishara kiya...

aur jab in dono ki bhi nazar mujhpar padi,toh dono shocked ho gaye....

ANJALI- kya hua V.J...fir kuch naya hua hai kya???

MAI- naya bhi aur purana bhi.....

SAB- matlab....

MAI- naya ye ki UNIVERSE ke har life serving PLANET par ek saath wo NEGETIVE ENERGY activate ho gayi hai..

jiski wajah se har PLANET me vibrations shuru ho gaye hain....

ANJALI- aur purana???

MAI-ISLA ki jis problem ko hum sab khatm samajh wapas aa gaye wo problem sirf gayab hui thi,khatm nahi...aur ab wo problem firse wapas aa gayi hai.....

ANJALI/RONIT-WHAT????par ye kaise ho sakta hai????

MAI-sab kuch ho sakta hai bas tarika maalum hona chahiye aur ASMODEUS ne wahi tarika dhund liya hai...

RONIT- par aisa kaun sa tarika hai jo teri tak pakad me nahi aa raha hai...???

MAI- in sab ke liye abhi waqt nahi hai...abhi DEFENDER apni puri shakti lagakar ISLA me dobara fate LAVA aur baaki jagahon par failne waale us NEGETIVE ENERGY ko akele rokne ki koshish kar rahe hain...

par wo ye zyada der tak nahi kar paayenge.

tum dono turant unki madad karne ke liye jaao....

ANJALI- par V.J...har jagah par jo NEGETIVE ENERGY faili hui hai,tujhe toh pata hai ki wo kiski hai...hum dono milkar bhi shayad uska saamna naa kar paayen....!!!!

RONIT- aur tune abhi kaha naa ki problem har PLANET me shuru ho gayi hai toh un sabke baare me tune kya socha hai???

MAI- har PLANETS par ANGELS pahunch chuke hain...par wo bhi tum dono ki hi tarah puri tarah se samarth nahi hain us URJA ko rokne ke liye....

ANJALI- wahi toh mai keh rahi hun....toh fir sab kaise thik hoga???

MAI-uski chinta tu mat kar..is baar jab tum dono aur saare ANGELS SPELL bologe,tab tum sab ki shakti mujhse judi hogi....

isse tum sabke SPELLS hazar guna tak zyada impactful ho jaayenge....par haan,kyunki aisa karne se tum sab meri shaktiyon se direct judoge,isiliye tumhe bohot zyada dard hoga...

ANJALI- jitna bhi dard ho V.J agar UNIVERSE ko bachana hai toh hum kuch bhi kar guzrenge....

RONIT-exactly...hum dono jaa rahe hain,tu apna kaam shuru kar....

ye bol dono gaayab ho gaye....

AVANTIKA- kya tum yahin se saare ANGELS ke saath judoge???

MAI- nahi AV.....is kriya me meri bohot zyada urja baahar aayegi...ye jagah,ye jagah kya mai aisa kisi bhi sansaar me nahi kar sakta...

iske liye mujhe wapas TWISTED DIMENSION ne jaana hoga...

AVANTIKA- kya mai bhi saath chalun....?????arre ye toh.....

abhi AVANTIKA ne apni baat kahi hi thi ki tabhi wo chownk gayi......

reason....is waqt hum dono hamare farm house ke kamre me nahi balki MAGICAL DIMENSION me the....

MAI-kaam shuru karte hain.....

SAMBHINATTI SWAH SHAKTIYEN

JOIN WITH MY POWERS

jaise hi maine SPELL uccharit kiya,mere saare sharir se ek saath laakhon carodon rays nikli aur tezi se saare jeeven deyi grahon ki taraf nikal padi aur jaise hi wo saare rays un PLANETS me moujud mere dono doston,DEFENDER aur ANGELS ke sharir par padi....

AAHHHHHHHHHH.............................

ek tez dard ki leher un sabko feel hone laga par apni dard ki parwah naa karte hue....

SHAKTIYEM VIMUKTI

POWER RELEASE

sabhi ne ek saath is SPELL ko uchharit kiya aur aisa karte hi sabhi ke sharir se ek saath kaafi maatra me WHITE ENERGY nikli aur sidhe jaakar us BLACK ENERGY ke chaadar se tarkrayi aur agle hi pal....

do chizen hui.....

pehli.....wo BLACK ENERGY jo ki lagatar aage badh rahi thi,wo apni jagah par jad si hokar rook gayi...

dusri....kyunki is baar mai ne ek saath pure bramhaand me faille us BLACK ENERGY par ek saath apni power release ki thi,isiliye mujhe us BLACK URJA ke baare me ek nayi jaankaari mili jisse jaankar mujhe ek jhatka laga tha......

aur is naye jhatke ki wajah se mere chehre par bhi surprising expressions ne janm liya tha jisse AVANTIKA ne dekh liya....

AVANTIKA- kya hua V.J...problem ab bhi thik nahi hui kya????

MAI- problem thik toh nahi hui hai par filhaal ke liye rook gayi hai....par baat kuch aur hai......

AVANTIKA- kya????

MAI-batata hun..pehle yahan se chalte hain...

maine man hi man saare ANGELS ko wapas loutne ko kaha...itni zyada maatra me WHITE ENERGY ke takraane ki wajah se filhaal ke liye kuch der tak wo BLACK ENERGY rooki rehne waali thi aur issi beech mujhe is problem ka ek permenent ilaaj dhundana tha...

issi soch ke saath mai AVANTIKA ko lekar gaayab ho gaya par mujhe kya maalum tha ki jis solution ko mai dhund raha hun,wo toh mere saamne hi hai aur kuch hi der me mujhe pata bhi chalne waala hai par jis solution ke milne par mujhe khush hona chahiye,mujhe khabar nahi thi ki wahi solution meri duniya hilaane waala hai.....

PLACE- FARM HOUSE

RONIT- bhai,jab teri powers humare sharir se takrayi,toh aisa laga maano koi humare body parts ko kaat kar alag kar raha hai....

ANJALI-haan yaar....dard toh dard,uske upar dimag ke naso tak me ajeeb se chubhan hone lagi thi....

par koi naa,kamsekam itni badi tention jo hum sabke sir ke upar naach rahi thi,wo toh filhaal ke liye rook gayi....

ANJALI aur RONIT apni apni baat kahe jaa rahe the,par mera dhyan toh us naye jhatke par hi tha jo abhi abhi mujhe laga tha...

kuch der baad jab mere khamoshi ke peeche chhupe tention ne in dono ko click kiya toh...

ANJALI- kya baat hai V.J tu ab bhi tention me lag raha hai???

RONIT- tention toh hogi hi naa....problem sirf tali hai,khatm nahi hui par yaar mujhe pata hai ki tu koi naa koi soution nikal hi lega....

MAI- ussi baat ka toh dar hai.....

ANJALI/RONIT-kya matlab????

MAI-solution se pehle equation samajh me aana zaroori hai...aur jo equation mere saamne aaya hai,uska solution accha toh ho nahi sakta???

RONIT- bhai,kuch samajh me aaye aisa bol...

MAI-jab maine apni powers tum sab se jodi aur jaise hi tum sabne SPELL bol us NEGETIVE ENERGY ko roka,tab mujhe kuch dikhayi diya tha....

ANJALI- kya dikhayi diya???

MAI- yahi ki wo NEGETIVE ENERGY hai toh ASMODEUS ki par......

ANJALI-par kya????

MAI-us shakti ka shroth badal gaya hai..

RONIT- shakti ka shroth badal gaya hai!!!tu kehna kya chahta hai....???

MAI- dekh...jaise hum jab kisi ko push karte hain,tab push karne waali chiz ko haath se dhakka dete hain...

par us dhakke ko taakat haath nahi balki us haath ko jodne waale joints dete hain..

wahi haath ki shakti ka shroth hote hain..thik waise hi jo NEGETIVE ENERGY is waqt pure UNIVERSE me faili hui hai,wo hai toh ASMODEUS ki par uska SHROTH matlab starting point koi aur hai,ASMODEUS nahi....

meri baat sun AVANTIKA ke saath saath RONIT aur ANJALI bhi solid chownke the....

RONIT- matlab ASMODEUS ki shakti kisi aur se flow hote hue pure universe me faili hui hai.....

kaun ho sakta hai???kahin BEELZEBUB toh nahi....

MAI- nopes...agar wo hota toh mujhe pata chal chuka hota....wo kya,koi bhi negetive energy ka dhaarak agar ye kare toh mujhe pata chal jaayega....

aisa karne ke liye ASMODEUS ko kisi aise bande ki zaroorat hai jiske paas..............

MERI PROTECTION HO................

apni baat kehte kehte mere dimag me kuch click hua jisse samajh maine apni baat puri ki par meri aakhri baat sun teeno firse chownke....

ANJALI- teri protection.....matlab????

MAI- barf ke upar barf rakho toh barf nahi pighalta..uske liye garmi ki,aag ki zaroorat padti hai...

isiliye hi jo energy har taraf faili hai,wo hamare efforts se bas rook rahi hai,khatm nahi ho rahi..

agar koi DEVIL ya NEGETIVE ENERGY ka dhaarak in sabke piche hota toh mere powers ke un negetive urja ko chhute hi wo mar jaata aur mujhe pata bhi chal jaata...

par ho ulta raha hai...us negetive energy par meri shaktiyon ka bhi asar nahi ho raha hai...

aur iska ek hi reason ho sakta hai aur wo ye ki jo bhi shroth in sabke piche hai,wo ASMODEUS se nahi balki mujhse juda hai..

uske paas meri SHIELD hai jiski wajah se wo negetive energy ka SHROTH dikh nahi raha...

ANJALI- OH MY GOD.......ye toh bohot khatarnaak baat hai....par aakhir aisa kaun hoga jisse ASMODEUS ne itne khatarnaak kaam ke liye chuna hoga....????

pehli baar is room me aate waqt mere dimag me kuch aaya tha,wahi soch ek baar firse mere dimag me aayi par maine firse us soch ko dimag se nikalne ka socha par tabhi.....

mere seene ke beech ek tez roshni hui jiska sirf ek matlab tha aur wo ye ki waqt aa chuka tha pehli BHAVISHYAWAANI ke khulne ka...

tez roshni ke beech wo BHAVISHYAWAANI theek mere saamne aakar rook gayi....

ab bhi us charre roopi BHAVISHYAWAANI ke upar likha hua tha ANGELS SACRIFICE.....

kuch der tak yunhi gol gol ghumne ke baad:-

NAHI HO SAKTA TU NAAVIK
EK SAATH DO DO NAAV KA,

WAQT AA GAYA HAI KISI
EK KE CHUNAAV KA....

JO TUFAAN AANE KA HAI,
WO HAR HAAL ME AAYEGA,

TERA JO DAR HAI,
AAJ WO SACH HO JAAYEGA....

APNI ASLIYAT TUJHE AAJ
KHUDKO DIKHANI HOGI,

YA TOH PURA SANSAAR MAREGA,
YA JISNE TUJHE BACHAYA HAI,

UNKI KURBAANI HOGI......

jaise hi BHAVISHYAWAANI khatm hui....

DHAMMMM............

mai ladkhadate hue neeche gir gaya.....

ANJALI aur RONIT ko BHAVISHYAWAANI ka matlab toh samajh me nahi aaya tha par mere yun achanak girne se dono ko itna andaza zaroor ho gaya tha ki baat jo bhi hai,wo unki soch se bhi zyada buri hai....

wahin dusri taraf lagatar tezi se beh rahe AVANTIKA ke aansu is baat ko pramanit kar rahe the ki meri hi tarah usse bhi BHAVISHYAWAANI ka matlab samajh me aa chuka tha....

par is waqt mujhe sambhalne ke liye uska control me rehna zaroori tha par kahin na kahin wo ye bhi jaanti thi ki ye possible nahi hai...

aur hua bhi aisa hi....kuch der tak shunya me ghurte rehne ke baad achanak.....

ASMODEUSSSSSSSSSSSSSSSSSSSSS..........

ek dahad mere mooh se nikli...is baar meri awaaz itni zor ki thi ki AVANTIKA ke SHIELD ko uske saamne aana pada mere awaaz se nikli energy se usse bachane ke liye...

par ANJALI aur RONIT ke upar meri awaaz ki urja ka prabhaav pada..mere cheekhte hi mere chaaron taraf ek tez hawa ka pravaah nikla jisne ANJALI aur RONIT ko peeche hawa me ucchal diya...

par dono ne hawa me hi apni apni body ko control kiya aur floor par utar aaye...wahin meri awaaz ki teevrata se pura farm house kaamp gaya tha....

aisa laga maano koi bhukamp aaya ho....neeche hall me baithe humare gharwaalon ko meri cheekh kisi dahad ki tarah lagi jisse sun sabhi sehem se gaye the...

wahin mere mooh se apna naam sun ASMODEUS ke chehre par ek smile aa gayi thi....

ASMODEUS- aakhir mere BHAI ko sach pata chal hi gaya.....

DHADAAK.........

abhi ASMODEUS ne itna kaha hi tha ki tabhi kisi ke haath ne uski gardan ko pakda aur agle hi pal ASMODEUS ka body hawa me tairta hua sa saamne diwal se jaakar takraya...

ye kaam aur kisi ne nahi maine kiya tha.....jahan mujhe achanak neeche dekh pehle saare ghar waale shocked hue wahin meri harkat ko dekh double shocked...

MOM-VICKY.....ye kya...........??????

isse aage MOM kuch nahi keh paayi...

reason....maine apna haath aage kar unhe kuch na kehne ka ishara kiya tha par unke chup hone ka reason aur kuch tha...

aur wo ye tha ki is waqt meri aankhen aansuon se bhari hui thi....uske upar mere jabde sakhti se ek dusre se bheenche hue the.....

mera pura sharir ghusse ki adhikta ki wajah se kaamp raha tha...

mujhe is condition me aaj tak kisine bhi nahi dekha tha aur aaj jab mera ye roop saamne aaya tha toh usse dekh mom ke saath saath sabhi shocked ke maare chup se ho gaye the....

wahin girne ke agle hi pal ASMODEUS khada ho chuks tha aur abhi bhi uske chehre par wahi smile thi....

mai uski taraf aage badha..mujhe aage badhte dekh dad mujhe rokne ke liye kuch kehne hi waale the ki tabhi kuch aisa hua ki dad ke saath saath sabke mooh band aur aankhen fati ki fati reh gayi...

toh hua ye ki aage badhte hue mere haathon me meri SWORD aa gayi thi..itna hi nahi,mai dheere dheere upar hawa me uth gaya tha..

ab ye nazara kisi aam insaan ke liye toh naamukin hi hai aur khaas kar tab jab ye jo kar raha hai,wo aapka apna beta ho toh aise me haalat toh kharab ho hi jaayegi naa...

ASMODEUS- waise toh tumhare dwara mujhe is SWORD se maara jaa sakta hai par filhal mai nahi mar sakta...

aur ye toh ab tum bhi jaan hi chuke ho naa BHAI.....

MAI- mai tera BHAI nahi hun........

ye bol meri talwar tezi se chali aur agle hi pal.....

NAHI............................

ye cheekh mere saare gharwaalon ke mooh se nikal gayi thi....

reason.....ASMODEUS ka sir uske dhad se alag hokar neeche gir chuka tha par agle hi pal jo hua,usse dekh mere gharwaalon ki aankhen shock se aur badi ho gayi.....

darasal ASMODEUS ka sir jo ki uske sir se alag ho chuka tha,wo agle hi pal wapas uske dhad ke upar jaakar jud gaya tha.....

ASMODEUS- ye kya bacchon waali harkat kar rahe ho mere bhai....mujhe tumse ye ummid bilkul nahi thi....

MAI-aur naahi mujhe tumse....

ye bol mai aage badha aur maine ASMODEUS ka gala pakad usse upar utha diya.....

MOM- VICKY...rook jaa beta....tujhe meri kasam....

MAI-MOMMMMMMM..............

mom ki baat sun mai itni zorse cheekha ki ek pal ke liye wo dar gayi par unke chehre par dar dekh mujhe khudpar bohot ghussa aaya...

mere hatheli ki pakad ASMODEUS ke gale se dheeli ho gayi jisse wo neeche zamin me aa gaya.....

par tabhi.....

ANJALI-VIKRAM ko toh kasam ne rok liya par hum toh waar kar hi sakte hain naa....

VINASHAYAM ABJUTE.......

DESTROY RAYS.....

mantra ke uccharit hote hi ANJALI aur RONIT ke haathon se do rays nikli aur ASMODEUS ki taraf lapki....

mere baad ANJALI aur RONIT ko yun jaadu karta dekh mere gharwaalon ka shock toh double hona hi tha....

wahin ASMODEUS ne ANJALI aur RONIT ki rays ko rokne ke liye kuch nahi kiya..wo rays ASMODEUS ko lagi zaroor par un rays ka uspar koi asar nahi hua.....

in sab se alag mai wapas apne ghutno par aa gaya tha.....apne dono haathon se apne chehre ko dhak mai zor zor se rone laga tha...

mom dad bhale hi is waqt shock me the,par mujhe yun rota dekh wo sab bhul meri taraf doude.....

MOM- kya hua beta.....tu ro kyun raha hai????maine kasam di isiliye ro raha hai kya???agar meri wajah se ro raha hai toh please maaf kar de baccha......

mom ki baat sun mera rona aur badh gaya tha....

MAI-KYUNNNNNNN?????MERE SAATH HI KYUN???????KYA BIGADA HAI MAINE KISIKA????HAMESHA WAHI TOH KIYA HAI JO TU CHAHTA THA FIR KYUN????ISSE ACHA TOH MUJHE HI MAAR DETA TU.......

CHATAAKH.........

ye thappad dad ne maara tha mujhe....

DAD- kya bakwas kar raha hai tu.....????kya issi din ke liye paida kiya tha tujhe ki tu marne ki dua kare???

mai nahi jaanta ki kya hua hai???aisi kaun si problem hai jiski wajah se mere sher bete ki aankhon me aansu aa gaye....

par reason jo bhi ho,tu haar nahi maan sakta...suna tune,situation jo bhi ho,tu haar nahi maan sakta.....

kuch der tak dad mujhe samjhate rahe....wahin mere aansu toh sukh chuke the..mai khamosh ho gaya tha....dad ko laga ki mai normal ho raha hun par unhe kaun bataye ki jo andar se mar chuka ho,wo normal nahi ho sakta.....

wahin mom ko jab laga ki jo ho raha hai,uske baare me wo ab baat kar sakti hain toh

MOM- beta,ab toh bata ki ye sab kya hai???tu,ANJALI aur RONIT jaadu kar rahe ho???tu isse maarne par tula hua hai...par tune jo iske saath kiya uske baad iska sir wapas aa gaya aur ye zinda khada hai....!!!!

aakhir ye sab ho kya raha hai????

par mom ki baat ka maine koi jawab nahi diya..mai ab bhi chup chaap baitha hua tha....

ASMODEUS- iska jawab mai deta hun...par sabse pehle proper introduction hona zaroori hai...

ye bol ASMODEUS aakar hall ke beech me aakar khada ho gaya....

ASMODEUS ki baat sun mere mom dad khade hokar baaki ghar waalon ke paas chale gaye... wahin ANJALI,RONIT aur AVANTIKA mere paas aakar khade ho gaye...

baaki ki hum teeno ki family jo ab bhi halke dare hue the,wo bhi ASMODEUS ki baat dhyan sunane lage....

ASMODEUS- ye batayiye,GOD ko maante hain aap....????

ASMODEUS ki baat sun sabhi gharwalon ko ajeeb laga par fir....

DAD- haan,maante hain....

ASMODEUS- badhiya...GOD ke kul do putra hain jinme se ek aapke saamne khada hai,matlab ki mai ASMODEUS aur dusra aap sabke saamne baitha hai,matlab ki ye VIKRAM.......

ASMODEUS ne bina koi bhumika baandhe sidhe sapat tarike se apni baat keh di..par uski baat sun sabhi gharwaalon ko aur sabse zyada mere mom dad ko shock laga...unhe samajh me nahi aa raha tha ki wo kaise react karen????

Koi aur waqt aur haalaat hote toh ASMODEUS ki baat sabko kori bakwaas lagti par abhi abhi jo chizen sabne dekhi thi,usne sabko ASMODEUS ki baat par yakin karne par majboor kar diya tha...

ASMDOEUS-yahi sach hai....mai aapke GOD ka pehla putra hun....ek aisa putra jisse uske pitah ki banayi ek rachna jisse manushya kehte hain,kabhi bhi pasand nahi thi aur isiliye mai is jaati ka samooh naash chahta tha...

par mere PITAH ko is jaati se ya fir ye kahun ki aapki jaati se bohot prem tha..unhone mujhe apni soch badalne ko kaha par mai nahi maana aur isiliye mujhe unhone khud se door kar diya.....

par unke aisa karne se meri manushyon ke prati nafrat aur badh gayi aur maine apna khudka ek saamrajya banaya aur jahan pehle mai GODS SON ke naam se jaana chahta tha,wahin ab mai DEVILS LORD ke naam se jaana jaane laga....

ASMODEUS ki baat sun mere gharwaalon ke man me halka dar sa panap gaya tha.....

ASMODEUS-GOD mujhe maar nahi sakte the kyunki mai unka khudka ansh hun..isiliye unhone ek naye ansh ko mere saamne utaarne ki sochi...

us ansh ko unhone aapke (MINAKSHI) kokh me daala aur falswaroop aapke ghar me dusre PARMESHWAR PUTRA aur LORD OF ANGELS ne janm liya...

ji haan,aapke ye suputra sirf aap dono aur GOD ke bete hi nahi balki saare ANGELS ke LORD hain....

aur inke ye dono dost.inke andar bhi ANGELS ki shakti hai jo VIKRAM ne hi inhe di hai....

jahan kuch der pehle tak ASMODEUS ki sacchayi jaankar sabhi gharwaale dar rahe the,wahin jaise hi sabne meri sacchayi jaani toh sabhi ki khushi ka thikana nahi raha...

ANJALI aur RONIT ke mom dad bhi unke baccho ke baare me jaankar bohot khush ho gaye the......

MOM- matlab meri kokh se janma mera putra khud PARMESHWAR ki santaan hai....

mai GOD ke putra ki MAA hun......

jahan mom apni khushi zaahir kar rahi thi,wahin dad bas chup rehkar is khushi ko mehsoos kar rahe the....

ASMODEUS-zyada khushi bhi thik nahi hoti....pata nahi kis darwaze gum andar ghus jaaye...

aur waise bhi ye toh sirf intro tha,ab aate hain asal mudde par..us mudde par jiski wajah se aapke suputr mujhe maarne par amada the....

aur wo point wo baat ye hai ki filhal pure BRAMHAAND me kaali shakti ki ek parat si bichi hui hai jo kisi bhi waqt saare planets ko khaa jaayegi...

aapke bete aur unke dost lagatar us shakti ko khatm karne ki koshish kar rahe hain par wo kaamiyab nahi ho paa rahe hain...

jaante hain kyun???kyunki jis shakti ko ye sab khatm karne ko koshish kar rahe hain,wo shakti mere JEEVEN se judi hui hai...

wo tabhi khatm ho sakti hai jab mai khatm ho jaaun....par mujhe khatm karne ke liye kisi aur ka khatm hona zaroori hai.....

ASMODEUS ki baat ka matlab kisi ko bhi samajh me nahi aaya aur ye baat ASMODEUS bhi samajh raha tha aur isiliye....

ASMODEUS-nahi samajh aaya..chaliye samjhata hun....darasal baat ye hai ki maine apne JEEVEN KAN ko do logon ke JEEVEN KANO me milakar unhi dono ke andar chhupa diya hai....

isiliye jis KAALI SHAKTI ka chaadar pure bramhaand me faila hua hai,usme maine apne baaki ke jeeven kan daal diye hain...

ab jab tak un jeeven kano ke shroth ka pata nahi chal jaata,tab tak wo kaali shakti ki chaadar hategi nahi.....

aur ab aate hain sabse mazedar baat par...jaante hain wo dono kaun hai jinme mere JEEVEN KAN moujud hain....????

VIKRAM KE MAA,BAAP matlab AAP DONO......

ASMODEUS ki baat sun jahan ek taraf sabko ab tak ka sabse bada jhatka laga wahin mai waise hi shunya ko ghurta hua sa baitha raha aur mere saath saath AVANTIKA bhi normal rahi kyunki usse bhi BHAVISHYAWAANI ke through ye baat pata chal chuki thi....

RONIT- apni bakwas band kar..uncle,aunty,ye jhooth bol raha hai...aisa ho hi nahi sakta....????VIKRAM ne aap sabke aas paas ek SHIELD banayi hui hai,jiski wajah se koi bhi negetive energy aap dono tak pahunch hi nahi sakti...

toh aise me ye aapme apne JEEVEN KAN kaise inject kar sakta hai...

ASMODEUS- tum bewakuf lagte toh nahi fir baat naalaayakon ki tarah kyun kar rahe ho....???

baaton ko dhyan se sunane ki aadat daalo...maine kaha ki maine apne JEEVEN KAN ko do logon ke JEEVEN KANO me chuppakar unke andar pravesh karaya hai..

ye dono JEEVEN KAN VIKRAM ke MAATA PITAH ke hi hain.....

ANJALI- aunty aur uncle ke jeeven kan tumhare paas kaise aaye???

ANJALI ke sawal par ASMODEUS ke chehre par ek muskaan naach gayi....

ASMODEUS-wo waqt toh yaad hoga jab tum meri kaid me thi aur VIKRAM tum tak nahi pahunh paa raha tha...

kaaran kya tha aisa hone ka....????

RONIT-tune VIKRAM se uska ohda cheen liya tha aur uske dimag ko apne kabze me kar liya tha...

ASMODEUS-kaise????

RONIT- uske dimag me apne khoon ko pahunchakar.....

ASMODEUS-VIKRAM ke dimag me apne khoon ko pahunchane ki asli wajah wo nahi thi jo tum sab samajh rahe the....

VIKRAM ke khoon me do do JEEVEN KAN moujud hain..ek uske PITAH ka aur dusra uski MAA ka...

mujhe wahi dono JEEVEN KAN chahiye the taaki waqt padne par uska istemaal kar sakun....

aur dekho,maine istemaal kar liya wo bhi kisi ko bina pata lagne diye.....

Sabko saari sacchayi bara aakhirme ASMODEUS meri taraf palta...

ASMODEUS-VIKRAM.....tumhe tumhare sawalon ka jawab bhi mil gaya....us jawab se jo chunouti saamne aayi,tumne wo bhi puri kar li aur saath hi saari aslliyat bhi jaan li...

aur ab aakhir me baari hai tumhare faisle ki....tumhare paas do vikalp hain....

PEHLA.....ya toh apne maata pitah ko bacha pure BRAMHAAND me basne waale logon ki kurbaani de do ya fir apne maata pitah ki kurbaani dekar pure bramhaand ko bacha lo.......

RONIT-abbe apni bakwas band kar..saale agar tu chaahe bhi naa toh uncle aunty ko koi nuksaan nahi pahuncha sakta..samjha???

ASMODEUS- kisne kaha ki mai nuksaan pahunchaunga....ye kurbaani,ye balidaan itna aasan nahi hai...

VIKRAM ko swayam apne haathon se apne MAATA PITAH ko maarna hoga...

tab jaakar kahin pure bramhaand me jo kaali shakti ki chaadar bichi hai aur jo kisi bhi waqt aage badh sakti hai,wo khatm hogi....

ASMDOEUS ki baat sun pure kamre me sannata chaa gaya....NAANA,NAANI,MAAMA,MAAMI,RONIT aur ANJALI ke gharwaale,kisi ko bhi samajh nahi aa raha tha ki wo sab kaise react karen......????

aisa hi kuch RONIT aur ANJALI bhi feel kar rahe the..AVANTIKA kas kar mera haath pakde hui thi mano keh rahi ho ki tumhara faisla jo bhi rahe,mai usme tumhare saath hun....

sabhi ke man me negetive thoughts the par in sabke beech do log aise the,jinke chehre par smile thi...

ye dono aur koi nahi mere mom dad the....

DAD-VICKY.......

dad ki awaaz me sirf mere liye pyar tha,ASMODEUS ki baat sunanane ke baad bhi koi dar nahi....

dad ki awaaz sun itne der me pehli baar mera sir hila...maine mom dad ki taraf dekha jo mujhe hi dekhte hue muskura rahe the.....

DAD- mera beta asal me GOD ka beta hai...itni badi baat,itni khushi ki baat aur tu yun udaas baitha hai....

pata hai,bachpan me jab sab mujhe anath anath kehkar chidhate the,mujhe nicha dikhate the toh mai hamesha rota hua GOD se shikayat karta tha ki mujhe maa baap ka pyaar kyun nahi diya...

aur ye shikayat aaj tak thi par ab nahi....usne mujhe maa baap nahi diye par khudka BETA de diya.....

isse zyada garv ki baat aur kya ho sakti hai beta....tere bahane se hi sahi,kamsekam GOD mera bhi naam lete honge ye sochkar hi mujhe itni zyada khushi ho rahi hai ki aur khushi mai bardaasht nahi kar paaunga...

meri zindagi saarthak ho gayi beta...saarthak ho gayi.....

MOM-maine GOD ke putra ko apni kokh se janm diya hai..maine toh jeete jee hi moksh paa liya beta....

ab ye jeeven rahe ya naa rahe.kya fark padta hai.....

DAD- teri mom theek keh rahi hai beta...aaj tak tune hum dono ko sirf garbhit hi kiya hai...

humari kurbaani dekar is universe ko bacha ek aakhri baar hume tujhpar proud feel karne ka mouka de...

isne abhi kaha naa ki tu LORD OF ANGELS hai...toh apne ohde ko samman de beta...nyaaya kar..kyunki nyaaya se badhkar rishte nahi hote......

DAD- agar aaj tune UNIVERSE ko chhodkar hume chuna toh hum waise bhi mar jaayenge beta..itni saari zindagiyon ko mout ke ghaat utaarne ki wajah hum kaise ban sakte hain...????

MAI- bas kijiye aap dono....aap aisa kuch nahi keh rahe ya fir kahenge jo mujhe pehle se nahi pata.....

ASMDOEUS,tujhe lagta hai ki tune baazi jeet li,kyun????nahi...jeetna toh door ki baat hai,do do baar haara hai tu....

ek baar tab jab apne PITAH ko sirf GOD samajh chhod aaya tha tu aur aaj fir haara tu jab ek manushya ko DAD bol uski jaan ka souda kar liya tune...

jin manushyon ko chhota aur naakara samajhta aaya hai tu,aakhirkaar unhi ka sahara lena pada naa tujhe.....

AAJ EK BAAR FIR TERE PITAH KO TUJHPAR SHARM AAYEGI AUR MERE PITAH KO MUJHPAR FIRSE GARV HOGA.....

meri baat sun aur aane waale lamho ke baare me soch wahan moujud sabhi ke aankhon me dard aur ghabrahat ke bhaav aa chuke the...

sabhi samajh chuke the ki kya hone waala hai...rokna toh sabhi chahte the par sab ye bhi jaante the ki agar mai rooka toh kya hoga isiliye sab jad se hokar apni apni jagah par khade hue the.....

aakhri baat kehte hue meri body firse ghusse aur dard ki wajah se kaampne lagi...

aankhon me paani liye maine ek baar apne mom dad ko dekha jo muskurate honth aur bheegi palkon ke beech mujhe garv se dekh rahe the......

MAI-I LOVE U MOM......I LOVE U DAD..........

BOOM.....BOOM............

ek ke baad do dhamake hue aur ek pal pehle jahan mere MOM DAD khade the,ab wahan par bas RAAKH thi......

NAHIII....................ye cheekh wahan moujud sabhi ke mooh we nikli.

ladhkhadate kadmo se chalta hua mai aage badha aur kampkampate haathon se us RAAKH ko pakad maine apne chehre par laga liya....

MAI-AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA

Is cheekh ke saath mai neeche gira aur girte hi gayab ho gaya.wahin ASMODEUS.....wo toh pehle hi gaayab ho chuka tha......

NOTE:-toh doston yahi tha hamare last chapter ke pehli bhavishwaani "ANGELS SACRIFICE" ka matlab...jiske baare me kuch der pehle GOD THE THREE MESSENGERS se bol rahe the.....aur isiliye hi maine kaha tha ki OHDA JITNA BADA,UTNI HI BADI KURBAANI.......

AAJ KE LIYE ITNA HI.........

AAPKA APNA V...J.........
 
Back
Top