• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.
[color=rgb(184,]UPDATE * 100[/color]


Jabki udhar rajnandini abhi bhi meri tasveer liye roye ja rahi thi.kabhi usko chumti to kabhi seene se laga leti to kabhi kuch badbadane lagti.

"Tere Libas Se Mohabbat Ki Hai, Tere Ehsaas Se Mohabbat Ki Hai
Tu Mere Paas Nahi Hai Phir Bhi, Maine Teri Yaad Se Mohabbat Ki Hai
Kabhi Tune Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga, Maine Unn Lamho Se Mohabbat Ki Hai
Jinme Ho Sirf Teri Aur Meri Baate, Maine Unn Alfaaz Se Mohabbat Ki Hai
Jo Mahakte Ho Teri Mohabbat Se, Maine Unn Jazbaat Se Mohabbat Ki Hai
Tumse Milna To Ab Ek Khwab Sa Lagta Hai, Isliye Maine Tere Intazar Se Mohabbat Ki Hai"

Aur achanak tabhi jor se darwaja khula aur phir...

Ab aage.....

"Pa hi lete tumko Agar, aati hame bhi adaye.Chahte hain tumhe kitna, ye bhi jatana nahi aata
Yaade to bas yaade hain, ye rukti nahi chahne se.....pyar me tumhare deewanapan, chhupana nahi aata
Ab koi kahe hame nadan, to hairat nahi hoti....pyar to bas pyar hai isse bhulana nahi aata."

Rajnandini achanak chounk kar palat gayi..aur phir uski ankho ne jo dekha to uski dil ki dhadkan bahut tezi chalne lagi..lekin uss par usko yakin nahi hua ki uska rishi darwaje par ghtno ke bal apni dono baahe phailaye baitha hai.. to usne apni ankho ke bahte pani ko pocha aur jab phir se samne dekha to rishi vahi baahe phailaye baitha tha..

Ye ehsaas hote hi apni subh budh kho kar tezi se chillate huye uth kar bhagi uski taraf lekin tabhi uska pir kisi cheez se takraya aur vo chillate huye niche girne lagi.

Rajnandini (chillate huye)-rishiiiiiiiiiiiii

Lekin isse pahle ki vo niche gir pati..rishi turant phisalte huye uske niche aa gaya aur rajnandini sidhe uski baho me ja giri..rajnandini ne jaise hi ankhe khol kar dekha to khud hi rishi ki balistha bhujao me simte dekh kar bilakh bilakh kar rone lagi..dono ki ankho me anshu the.dono ke dil ki dhadkan tez chal rahi thi.

Rajnandini (rote huye)-mujhe chhod kar kaha chalte gaye the..? Mujhe akele apni yaado me tadapti chhod kar jaldi loutne ka vada kar ke bhi nahi aaye aur main tumhare intazar me pal pal tadapti rahi, na jee sakti thi aur na hi marr sakti thi.tumne aane ka vada jo kiya tha..kyo kiya tumne aisa..?

Rishi (rote huye)-main to khud paglo ki tarah bhatak raha tha, tumhare bina...nujhe kabhi chain nahi mila. hamesha tumhare bagair main adhura hi raha..main tumhara apradhi hu nandini.mujhe maaf kar do

Idhar ye dono ro rahe the to vahi sabhi vaha pahuch kar ek dusre ko aise dekh kar hairan aur chakit the.sadme jaisi unki halat ho gayi thi..vo kabhi rajnandini ko to kabhi shree ko dekh dekh kar hairan the ki ye kaisa chamatkar hai...?

Vahi shree bhi gahre sadme me thi..aaj usko apna pyar apne se bahut door jata hua dikhayi de raha tha.uska dil kaanch ke shishe ki tarah toot gaya tha ki adii usko nahi balki uske jaisi kisi aur ko bahut pyar karta hai.vahi sabse bada ashcharya to sab ko agni ki iss baat se ho raha tha ki rajnandini aur adii ka pyar sadiyo purana hai ..?

Unko kya koi bhi aisi baato par vishwash nahi karega ki aaj ke science ke aadhunik yug me aisa hona bhi sambhav hai.? Dono ko aise ek dusre se lipat kar vilap karte dekh sabhi ki ankhe chhalak rahi thi.

Vo sabhi dono ke paas jana chahte the magar agni ne sab ko dono ke paas jane se rok diya..vah iss samay sadiyo ke bichhde dono premiyo ke prem milap me kisi ko badhak nahi banne dena chahti thi.

Urmila (sisakte huye)-ye kaisa chamatkar hai..? Main aaj tak apne bete ko samajh hi nahi payi.

Anand-samajh to ham me se koi bhi nahi paya kabhi usko.

Franklin-lekin ye kaise sambhav hai..?

Daniel-haa.koi sadiyo tak kaise intazar kar sakta hai..?

Juliya-dharti ke alawa kisi aur grah me bhi jeevan hai, iss baat ka pata to aaj tak science bhi nahi laga payi. ye kaise possible hai.?

"Ye satya hai..jis tarah se suraj aur chaand ka hona satya hai.vaise hi ye bhi satya hai ki inn dono ka prem sadiyo purana hai." Piche khade chuttad ne unke prashn ka jawab diya.

Ajit-tum log koun ho.? Aur ye kaise kah sakte ho ki ye satya hai, jaise ki tum khud iske gawah ho.?

Pangu-haa..hum iss baat ke pratyaksh gawah hain.vo dono hamare bhi dost hain, sadiyo se aur hum bhi ussi grah se apne dost ki talash me yaha aaye hain.

Pangu ki iss baat se sabhi chounk gaye..sabse jyada chounkne ki bari saroj aur deepa ki thi..vo dono shocked ho kar charo ko dekhne lagi.

Chuttad-aise mat dekho.ye satya hai.

Megha-hame poori baat batao.

Nangu-theek hai agar aap sab janna hi chahte hain to suno inn dono ki prem kahani...

Idhar nangu ne rajnandini aur rishi ki prem kahani batane ja raha tha udhar dono janam janmantar ke yugal premi ek dusre ke dil ko samajhne aur samjhane me vyast the.lekin dono hi ek dusre ko samjha pane me asmarth the.

Antatah dono ke tadapte hoth ek dusre se ja mile aur jaise hi dono ke hotho ne ek dusre ko touch kiya vaise hi roshni ke ek vishal ghere ne dono ko apne kabze me le liya..roshni ke phailte hi adi aur rishi ki ruh ek ho gayi aur ek bar phir se janam ho gaya adirishi ka.adi aur rishi ki yaade ek ho gayi.ek hote hi rajnandini aur adirishi apni yaado ke safar me doobne lage...

Vahi iss roshni ko dekh kar sabhi ki ankhe phati ki phati rah gayi...ye unn sab ke liye kisi kalpana se pare chamatkar tha.roshni itni tez ho chuki thi ki sab ko apni ankhe band karni pad gayi.

Shree (ankhe band kar ke)-ye kaisa chamatkar.kaisi roshni hai..?

Sab (shocked)-iss roshni ka kya matlab hai..?

Chuttad-ye to hum bhi nahi jante ki iss roshni ka kya matlab hai.?

Agni-aaj rajnandini ke sampark me aane se do ruh aur unki samast yaade ek ho gayi hain.ye roshni uss baat ka hi praman hai.

Sab-hame dono ke vishay me batao..

Pangu-to suniye.

Flashback Start

Brahmand me kayi galaxies hain jinke bare me koi nahi janta..jane kitne hi rahasya chhipe huye hain jinke baare me pata laga pana namumkin jaisa hi hai..aise hi iss brahmand me ek galaxy hai ATLAS.uss galaxy me bhi kayi grah hain.unme se bahut se graho me bhi jeevan hai.

Yaha ki dharti ki tarah hi vaha bhi ek dharti (Earth 2) hai..halanki uss grah ka naam ALPHA hai..jaha ke rahne walo ka jeevan bilkul iss earth se kafi had tak milta julta hai..lekin vaha ka science aur technology yaha ki tulna me adhik viksit hai.

Uss grah me ek bahut bada gaon hai Tabhka Koeeli.dusre .gaon ke bahar bane ek ashram me vidwan rishi Kakshivaan rahte the..vo patyek prakar ke shastra aur ved me nipun the.

Tabhka Koeeli gaon me unke hi saman aur rishi the jinka naam Priyamedh tha.vo bhi kakshivaan ki tarah hi ved vedangat me pravin the.aas paas ke sabhi gaon me priyamedh ka kafi naam tha.

Har sikke ke do pahlu hote hain..jaha ek taraf achchayi hoti hai, vaha sath me burayi bhi avashya ho ti hai. roshni aur andhere ka aapas me choli daaman ka sath hai.

Jaha ek oor kakshivaan aur priyamedh jaise dharma parayan vidwan the to vahi azgar aur kilwish jaise achchayi ke dushman aur shaitan bhi moujud the..jinka ek matra uddeshya duniya me darr aur khauf phaila kar paap aur andhere ka samrajya sthapit karna tha..dono ke paas shaitani shaktiyo ka prachur bhandar tha.

Iss uddeshya ki purti ke liye azgar ne apne eesta devta ki kathor tapasya prarambh kar di..varsh par varsh gujarte rahe aur uski tapasya gujarte samay ke sath aur bhi kathor hoti chali gayi.

Udhar Jab kakshivaan ne priyamedh ke vishay me suna to unke mann me unse milne ki abhilasha jagi to vah priyamedh se milne unke ashram chale gaye..kakshivaan ke ashram me pahuchte hi rishi priyamedh ne unka khoob aadar satkar kiya.dono kafi samay tak tak vibhinn vishayo par apne vicharo ka adan pradan karte rahe.

Iske pashchat jab kabhi bhi rishi kakshivaan, rishi priyamedh se milne unke ashram me aate to dono ke beech bahut lambi shastrarth chalti..kafi tark vitark hota rahta unn dono ke beech me.ab koi kisi se kam to tha nahi isliye unke tark vitark ka koi natiza nahi nikalta tha.

Ussi tarah uss din bhi rishi kakshivaan aur priyamedh me bahut tark vitark chal raha tha.dono ek dusre se shastra aur ved se jude prashna puchte aur ek dusre prashno ke uttar dete.haar manne ko koi taiyar hi nahi tha.akhir me rishi kakshivaan ne ek aisa paheli puch liya jisne priyamedh ko uljha diya.

Kakshivaan-aisi koun si cheez hai jisko jalane par bilkul bhi matlab jara si bhi roshni paida na ho..?

Priyamedh ne bahut soch vichar kiya parantu vo iss paheli ka uttar de pane me asmarth rahe...jis kisi bhi cheez ke baare me vichar karte, to unhe lagta ki vah thodi si sahi parantu roshni to uttapann karta hai ....paheli ka uttar khojne ke udhedbun me unki zindagi beet gayi....lekin vo iss paheli ka jawab nahi dhoond paye.

Jab priyamedh ka ant samay nazdeek aaya to unhone sandesh bhijwa kar kakshivaan rishi ko bulwaya..kakshivaan sandesh milte hi unke paas milne aa gaye.

Priyamedh-rishi kakshivaan ji main apki paheli ka uttar dhoond pane me samarth nahi ho paya, lekin mujhe poora vishwash hai ki bhavishya me mere vansh me aisa vidwan jarur janam lega jo apke iss prashna ka uttar de payega.

Priyamedh ki mrityu ke pashchat unke putra ne iss prashna ke uttar ka jimma liya parantu vah iss prashna ka uttar dhoond pane me asmarth raha aur ek din uski bhi mrityu ho gayi....iss ke baad kakshivaan ke uss prashna ke uttar ko dhoondne me priyamedh ki kayi pidhiya gujarti gayi.

Iss tarah se priyamedh ki aath pidhiya kakshivaan ke prashna ka uttar nahi pa saki...sabhi uttar khojte khojte swarg ko prapt ho gaye...lekin kakshivan apni paheli ka jawab pane ke liye jinda rahe.

Kakshivaan ke paas ek newle ke chamde se bani thaili thi, jisme kuch chawal bhare the...pratyek varsh me vo usme se ek ek dana chawal ka nikal kar phenk dete the....jab tak uss thaili ke saare chawal khatam na ho jaye, tab tak ka unhe jeevan prapt tha.

Kayi varsho ki kathor tapasya ke parinam swaroop azgar ki tapasya safal huyi..uske eesta devta ne uske samne prakat ho kar vardan mangane ko kaha.

Eesta dev-azgar ankhe kholo...hum tumhari tapasya se bahut khush hain....vardan maango vats.

Azgar-mujhe amar hone ka vardan chahiye...mujhe koi bhi na maar sake.

Eesta dev-main ye vardan nahi de sakta...tum amarta ko chhod kar koi dusra vardan maango.

Azgar-agar aap mujhe amar hone ka vardan nahi de sakte to theek hai....phir mujhe aise kayi kawach dijiye jinke karan main abhedya aur surakshit rahu..mere sharir me ek bhi kawach ke hote huye koi mujhe maar na sake...koi maha parakrami aur satyavadi jisne kabhi koi paap na kiya ho kewal vahi mere kawach ko tod sake, lekin ek bhi kawach todte hi uski mrityu ho jaye....meri mrityu sirf ussi maha parakrami ke hatho se ho jo mera kawach todne ke baad apni hi sagi putri se vivah karne ke baad usse santan paida kiya ho.

Eesta dev (kuch der sochne ke baad)-theek hai....aisa hi hoga.....main tumhe teen kawach pradan karta hu aur vardan deta hu ki jab tak tumhare sharir par ek bhi kawach shesh hai, tab tak koi tumhe nahi maar sakta..jo bhi tumhara kawach todega uski tatkal mrityu ho jayegi....tathastu

Ye vardan milte hi azgar to jaise khushi se pagal ho gaya...usne charo taraf atyachar aur paap ki satta ko badhane laga...kya stri aur kya purush, sab uske julm ke shikar hone lage.

Azgar-hahahaha......ab main amar ho gaya....kyon ki jo satyavadi aur dharma par chalne wala hoga vo apni hi beti se shadi kar ke sambhog nahi karega aur agar usne aisa kiya to paap ka bhagi ho jayega... lekin jab vo kawach todne ke baad jinda hi nahi rahega to apni beti se shadi kaise karega... ? hahahahahaha....eesta dev ko badhiya bewqoof banaya maine....ab mujhe koi nahi maar sakta....hahahahahaha

Vardan ke nashe me chur azgar har kisi par atyachar karne laga...jaha bhi koi pooja path karte dikh jata to unko utha kar ussi agni kund me phenk deta...striyo aur jawan ladkiyo ko uske sainik jabran ghar se sab ke samne nagn kar ke ghasit le jate aur raat din unka shosan karte rahte...unse paida hone wali santane bhi paap ke marg par chalne wali hoti..aise hi azgar ki kali sena badhti chali gayi....logo ne apne apne gharo se bahar nikalna tak band kar diya tha uske darr se.

Vahi dusri taraf priyamedh ki nauvi (9th) pidhi me ek balak ka janam hua...jiske sharir me adbhut tez tha..ussi gaon ke ek vidwan brahman ke hatho naam karan ke pashchat uss balak ka naam rakha gaya..Adiirishi

Uss vidwan brahman ke ghar uss din hi ek bahut hi sundar kanya ne janam liya...jiska naam rakha gaya..Rajnandini
 
[color=rgb(184,]CHAMATKAR[/color]
[color=rgb(184,]UPDATE- 101[/color]

FLASHBACK CONTINUES......

Vardan ke nashe me chur azgar har kisi par atyachar karne laga...jaha bhi koi pooja path karte dikh jata to unko utha kar ussi agni kund me phenk deta...striyo aur jawan ladkiyo ko uske sainik jabran ghar se sab ke samne nagn kar ke ghasit le jate aur raat din unka shosan karte rahte...unse paida hone wali santane bhi paap ke marg par chalne wali hoti..aise hi azgar ki kali sena badhti chali gayi....logo ne apne apne gharo se bahar nikalna tak band kar diya tha uske darr se.

Vahi dusri taraf priyamedh ki nauvi (9th) pidhi me ek balak ka janam hua...jiske sharir me adbhut tez tha..ussi gaon ke ek vidwan brahman ke hatho naam karan ke pashchat uss balak ka naam rakha gaya..Adiirishi

Uss vidwan brahman ke ghar uss din hi ek bahut hi sundar kanya ne janam liya...jiska naam rakha gaya..Rajnandini

Ab aage......

Adirishi ke mata pita sukhdev aur aprajita dono hi bade dharmik vicharo wale vyakti the....adirishi ko apne pariwar se hi dharm aur sanskaro ki shiksha apne mata pita se milti rahi samay samay par.

Adirishi jaise jaise bada hone laga uski gyan ke kshetra me vidwata sabke samne aane lagi....har baat me vo sabse aage rahta tha...phir chahe vo gyan ki baate ho ya phir koi aur vishay....uski ruchi yuddh kala me bhi thi.

Uske char dost bhi ban gaye the....chuttad, gangu, pangu aur nangu...halanki inke naam to kuch aur hi the lekin adirishi inhe yahi naam se bulata tha....uski dekha dekhi sabhi ke juban par ye naam famous ho gaye.

Udhar azgar aur kilwish ka aatank sir chadh ke bol raha tha.....jo ki din prati din badhta hi ja raha tha....isme uska bharpoor sahyogi ban gaye the tantrik kapali aur naravali.

Kapali aur naravali dono hi kali shaktiyo ke upasak the.....dono ne kayi tarah ki shaktishali siddhiya hasil kar li thi jinke dum par vo kilwish aur azgar ke kale samrajya ko din duna raat chouguna badha rahe the.

Priyamedh ki ab tak ki sabhi pidhiyo me adirishi hi aisa tha jiski ruchi gyan ke sath sath yuddh vidhya me bhi thi... kintu usko yuddh kala ki shiksha dene wala vaha koi nahi tha.

Vahi dusri taraf rajnandini bhi badi hone lagi dhire dhire.....jaise jaise vo badi hoti ja rahi thi vaise vaise uska roop soundarya bhi chandrama ki kalao ki tarah aur bhi nikharta ja raha tha.

Rajnandini me ek avgun jarur tha ki usko gussa bahut aata tha bachpan se hi....apni saheliyo me bhi agar koi uski baat manne se inkar kar deti ya galat thahra deti to vo gussa ho ke unko thok peet deti thi....chahe phir uski baat galat hi kyo na ho agar kisi saheli ne ye aur kisi ne kah diya ki aisa nahi hai to phir samajho ki uski shamat aa gayi.

Uske pita vidhyadhar poore gaon ke purohit the...isliye unka behad maan samman tha....pooja path kane ke baad vo poora din ved aur purano ke adhyayan me hi leen rahte the...uski maa shakuntala ek grahini thi....uske pita rajnandini ko bhi ladai jhagda na karne ki salah dete rahte the....unke samne to vo haa kah deti thi lekin jaise hi koi uski baato ko galat thahrata to bhool jati sab kuch aur ladna chalu.

Lekin aisa nahi tha ki usko sirf ladna hi aata tha....vo jab bhi free hoti to koi na koi dharmik kitab padhti rahti thi... uske mann me sabse prabhav dala tha durga maha puran ne....uska saatva aur aathva adhyay jo ki mata mahakali par adharit hai....usse vo behad prabhavit thi aur ye do chapter usko bahut pasand the...shayad kyon ki isme mahakali ne maar kaat kuch jyada hi ki thi..chand, mund aur rakta beez ka vadh karte samay.

Inn dono chapters ne uske mann me itna asar dala ki vo mann hi mann mahakali ko hi apni guru manne lagi... aur jab bhi kahi akeli hoti to vo unka dhyan karte huye astra shastra ka akele hi abhyas karne lagti.

Samay gujarta raha aur iss douran adirishi aur rajnandini dono kab bachpan se jawani ki dahleez par aa gaye unhe khud bhi pata nahi chala....

Jawan hone ke sath hi rajnandini ki sundarta aur youvan me char chaand lag chuke the...vo jis gali se bhi gujarti, log uski ek jhalak pane ke liye ghanto uss raste par taktaki lagaye baithe rahte....magar rajnandini thi ki apne sharir par makkhi tak ko nahi baithne deti thi.

Vidhyadhar prati din pratah kaal uth kar pooja archna kar ke aas paas ke gaon me bhiksha maangne ke liye nikal jata tha....tab tak maa beti dono mil kar ghar ka sara kaam kaaz niptati thi.....tatpashchat bhojan banati thi.... nadi se pani bhar kar lane ka kaam rajnandini hi karti thi.....vidhya dhar bhiksha maang kar vapis loutne ke baad shastra adhyayan me jut jata tha....vo apni putri rajnandini se bahut prem karta tha....aur uske jawan hone ke baad uske liye usne ek suyogya var ki talash bhi shuru kar di thi.

Idhar adirishi bhi bada ho gaya tha....vo dekhne me kisi se kam nahi tha...sajila, hatta, katta, khubsurat nav jawan ho gaya tha........lekin uske jawan hone se kuch saal pahle hi uski maa ek bimari ki chapet me aa kar parlok sidhar gayi.........adirishi jab bada hua to usko ek baat chubhne lagi ki ek paheli ka uttar uski poori aath pidhiya dene me asmarth rahi aur swargvasi ho gayi, parantu uss prashna ko puchne wala ab tak jinda hai....adirishi ne nishchay kiya ki vah iss prashna ka uttar dhoond ke hi chain lega.

Kintu kisi ko kya pata tha ki iss prashna ka uttar talash karne me adirishi ki jeevan dhara hi badal jayegi.....ye prashna usko kaha se kaha pahucha dega, tab ye baat koi nahi janta tha.

Ye prashna hi hai jisne ek rishi putra ke jeevan me prem ka sagar bhar diya, to kahi gyan ka amar deep jalaya, iss prashna ne hi usko kayi shaktiya pradan ki to issi prashna ne hi usko azgar ke samne la khada kiya.

Adirishi jab bhi apne charo dosto ki pandav mandali se fursat hota to aksar nadi kinare baith kar ghanto uss prashna ke baare me hi sochta rahta lekin uska koi uttar nahi mil pa raha tha...

Aise hi ek din vo nadi ke kinare kinare chalte huye ussi paheli ke vishay me sochne me khoya hua tha... vo apni soch me itna magan tha ki usko ye abhas bhi nahi hua ki vo kab apne gaon ko paar kar ke dusre gaon me pahuch gaya hai.

Tabhi uska dhyan kuch awaz se bhang ho gaya....usne jaise hi uss awaz ki disha ki taraf apni nazare ghumayi to bas dekhta hi rah gaya.....uski ankhe to jaise palak jhapakna hi bhool gayi.

Samne nadi par rajnandini apni ek saheli champa ke sath ghade me pani bharne aayi thi....ye awaz ghade ko pani me dubone se huyi thi.....kintu uski iss awaz ki dastak adirishi ko sidhe apne dil me mahsoos huyi....pahli hi nazar me rajnandini ki sundarta ne uske mann ko moh liya.

Vahi rajnandini ne ghade me pani bhar ke jaise hi usko pani se bahar nikalne ko huyi to uski bhi nazar nadi ke dusre kinare par khade adirishi ki nazaro se takra gayi.....rajnandini ki iss ek nazar ne adirishi ka jaise sab kuch hi loot liya tha.

Vahi rajnandini ne bhi aaj pahli baar apne dil ko dhadakte huye mahsoos kiya.....uske sath aisa pahli baar hua tha... kaha vo gaon ki alhad bebak gori jo baat baat par har kisi se ladne ko taiyar rahti thi....aaj kisi ko dekh kar uske dil me ek anjani si uthal puthal paida ho gayi thi.

Champa ke awaz dene se vo jaldi hi hosh me aa gayi aur turant apni nazaro ko jhuka liya...ye bhi shayad pratham baar hi tha ki rajnandini ne aaj sharam aur laaz ke karan usne apni ankho ko jhukaya tha....champa ke awaz lagate hi vo ghada le kar uth khadi huyi aur dhire se ek baar mud ke adirishi ki taraf dekha aur phir chupchap vaha se chali gayi.

Airishi usko tab tak bina palak jhapkaye dekhta raha jab tak ki vo uski ankho se ojhal nahi ho gayi.....kuch der tak aise hi vaha khade rah kar vo uss jagah ko dekhta raha jaise ki iss jagah ko achche se apne dil aur dimag par baitha lena chahta ho....phir vapis apne ghar ki oor mud gaya.

Aaj adirishi ka mann ashant tha....kaha vo kuch pane ki khoj me nikla tha ghar se aur kaha jab ghar louta to apni sabse keemti cheez bhi usse kho chuki thi.....vo gaya to tha uss paheli ka uttar pane ke liye ...uss paheli ka uttar to usko nahi mila magar uska dil jarur kho gaya.

Raat aise hi karwat badalte badalte mushkil se kati.....rajnandini ka hasin chaand jaisa mukhda uske dil aur dimag se ojhal hi nahi ho raha tha....subah hote hi usne jaldi jaldi nitya kriya poori ki aur bina kisi ko kuch bataye phir se uss jagah aa kar baith gaya, jaha kal usne rajnandini ko dekha tha....iss ummid me ki shayad vo subah bhi nadi me pani lene aati ho.... ?

Intazar karte karte subah se dophar ho gayi aur dophar se shaam....vo bina kuch khaye piye aise hi rajnandini ki ek jhalak ke liye tapti dhoop ki parwah kiye bagair yo hi baitha raha...uski gali me taktaki lagaye, asha ka ek deep jalaye.....magar rajnandini nahi aayi....aaj usko ehsaas hua ki intazar karna kya hota hai.... ? kisi ka intazar karna kitna taklifdeh hota hai.... ?

Vo subah se intazar karte karte nirash ho chuka tha...lekin phir bhi uske dil ke kisi kone me ye ummid thi ki shayad vo shaam ko aaye pani lene.... ? kahte hain ki sachche dil se nikli pukar ko sun kar to bhagwan ko bhi aana padta hai....aur uss din ye chamatkar bhi satya ho hi gaya.

Suraj dhalna shuru hi hua tha ki akhir rajnandini aaj phir champa ke sath hasi majak karte pani lene pahuch hi gayi nadi kinare....adirishi ko jaise naya jeevan mil gaya, rajnandini ko dekhte hi....lekin dono ko shayad aaj loutne ki jaldi thi...isliye jaldi se ghada bhar ke dono vaha se chal di....magar na jane kyo rajnandini ke dil me kal wali vahi tasveer achanak ubhar aayi.

Barbas hi uski nigahe uss taraf ghum gayi jaha adirishi aaj bhi ektak usko hi dekhe ja raha tha.....adirishi par nazar padte hi rajnandini ke dil ki dhadkan tez ho gayi.....vo chah kar bhi apni nazare hata nahi pa rahi thi...uske dil me ek mithi mithi chubhan uthne lagi thi.

Champa ne jab usko aise khade dekha to chounk gayi ki isko kya ho gaya... ? usne kayi baar usko naam lekar awaz kagayi magar uski awaz bahar hi dafan ho gayi..rajnandini apni sudh budh kho chuki thi.ant me champa usko hath pakad ke khich le gayi apne sath.. uske jate hi adirishi bhi gaon lout aaya.

Uske dosto ne jab usko gumsum dekha to usko pareshan karne lage..koi kuch kahta to koi kuch..halanki vo sab bhi usko aise chup dekh kar chintit hone lage the.

Chuttad-arey yaar kya baat hai, tu kal se itna shant shant kyo hai..... ?

Nangu-lagta hai ki hamare dost ko pyar to nahi ho gaya hai kisi se..? hahahaahaha

Adirishi-pyar..pyarrr..haann shayad ye pyar hi hai.

"Mohabbat Kab, Kis se aur Kaha Ho Jaye,
Iska Koi Andaza Hi Nahi Hota...
Ye Ghar Hi Aisa Hai Dost,
Jiska Koi Darwaja Nahi Hota."
Pangu-koun hai vo..... ?

Adirishi-pata nahi....

Gangu-kaha rahti hai.... ?

Adirishi-pata nahi

Chuttad-ye bhi pata nahi...vo bhi pata nahi....lagta hai ki ye bhi ishq ke rog me gaya kaam se

Adirishi vaha se uth kar ghar aa gaya...ab ye roj ka kaam ban gaya tha....vo subah uth ke vahi nadi kinare pahuch ke rajnandini ka intazar karne lagta....haan, iss douran ek badlav jarur aaya tha ki ab rajnandini bhi din me do teen baar nadi me pani lene aane lagi thi..aur ghanto vo bhi adirishi ko niharti rahti thi.

ek din rajnandini bade subah subah din nikalne se pahle hi nadi kinare pahuch kar adirishi ke aane ki raah dekhne lagi...ek ek pal usse badi mushkil se kat raha tha...din bhi nikal aaya aur dhoop bhi khil gayi thi lekin adirishi ko uskepita ne kuch meuljha diya tha to vo nahi aa paya tha ...idhar intazar karte karte rajnandini ko gussa aane laga tha...jab dophar tak vo nahi aaya to gusse me usne padosi ke ghade ko nadi ke pani me phenk diya aur tunk kar ghar lout aayi.

Rajnandini (gusse me khud se)-- kya samajhta hai apne aap ko...? nahi ayega to main marr jaungi kya usko dekhe bina...? mere hath pair jal gaye dhoop me baithe baithe, upar se maa ki daant khani padegi so alag....ab se main bhi nahi jaungi nadi.

phir ek ghante baad.....

Rajnandini (mann me)--ho sakta hai ki ab vo aa gaya ho....? vo bhi to meri raah dekh raha hoga....? agar main nahi gayi aur vo kal se nahi aaya to....? nahi..mujhe jana hoga...

aur vo chupchap khidki se kood kar dophar me hi nange pair nadi ki taraf bhag gayi....

Shayad dono hi ek dusre ke dil ki halat ko samajh rahe the....rajnandini ne ab kisi se ladna jhagadna bhi chhod diya tha....baat baat par gussa hone wali rajnandini ab shant rahne lagi thi.....uski saheliya aur gaon wale bhi hairan the ki ye chamatkar kaise ho gaya.... ?

Ab uski saheliya jab kayi baar usko chidati to bhi vo koi jawab nahi deti thi....ya phir sahi shabdo me ye kahna jyada uchit hoga ki usko apni saheliyo ki baate ab sunayi hi nahi deti thi....kyon ki uske dil, dimag, ankh, naak, kaan sab band the.....sab me adirishi ne kabza kar liya tha.

Rajnandini ko khud hi nahi malum ki kab aur kaise ye sab ho gaya....bas uske dil me yahi laga rahta tha ki kab subah ho aur maa usko nadi se pani lane ke liye kahe....kayi baar to vo nadi se khali ghada hi sir me rakh ke vapis aa jati thi....use pani bharne ka hosh hi nahi rahta tha.

Gaon walo ke sath sath uske maa pita bhi uski halat dekh ke chinta me the....kayi baar jab shakuntala usko pani lane se mana kar deti to vo chupke se padosiyo ke ghade le kar nadi me bhag jati thi...ab to uska jyadatar samay nadi kinare hi gujarta tha.

Prem dono taraf se tha, kintu moun tha......fasla kewal nadi ke do kinaro ka tha..aksar prem me aisa hota hai. jisko hum chahte hain, vo hamare paas hota hai, hamare sath hota hai..lekin phir bhi hum uske samne apna prem vyakt nahi kar paate..shayad dono hi ke dil me ye udhedbun chal rahi hoti hai ki "Kahi main aisa kuch na kah du ki vo mujhse naraz ho jaye."

Yaha bhi shayad kuch aisa hi tha.....bhay aur sankoch, ye do hi hain jo kisi insan ko moun rahne par majboor kar dete hain....ab inn dono ke dil me, bhay hai ya phir sankoch kahna mushkil hai.

Rajnandini (mann me)-ye mujhe kya ho gaya hai... ? mera mann kyo mere vash me nahi hai.? Vo kuch kahta kyo nahi hai.?

"Khwabo Ki Duniya Mein, Hum Khote Chale Gaye,
Na The Madhosh Par, Madhosh Hote Chale Gaye,
Na Jane Kya Baat Hai, Uske Chehre Mein ?
Na Chahte Huye Bhi, Unke Hote Chale Gaye.."

(2656 words)
 
[color=rgb(184,]CHAMATKAR
UPDATE- 102[/color]



FLASHBACK CONTINUES......

Yaha bhi shayad kuch aisa hi tha.....bhay aur sankoch, ye do hi hain jo kisi insan ko moun rahne par majboor kar dete hain....ab inn dono ke dil me, bhay hai ya phir sankoch kahna mushkil hai.

Rajnandini (mann me)-ye mujhe kya ho gaya hai... ? mera mann kyo mere vash me nahi hai.? Vo kuch kahta kyo nahi hai.?

Khwabo Ki Duniya Mein, Hum Khote Chale Gaye,
Na The Madhosh Par, Madhosh Hote Chale Gaye,
Na Jane Kya Baat Hai, Uske Chehre Mein ?
Na Chahte Huye Bhi, Unke Hote Chale Gaye..

Ab aage..

Vo dono ghanto ek dusre ko niharte huye nadi ke dono kinaro par baithe huye dekhte rahte..magar dono me se koi bhi apne dil ki baat ko kahne ki himmat nahi juta pa rahe the.

Aise hi ek din dono ek dusre ko dekhte huye nadi kinare baithe ek dusre ki ankho me khoye huye the ki tabhi achanak se rajnandini ka pair fisal gaya aur vo nadi me ja giri.

Usko nadi me girte dekh kar adirishi bhi turant nadi me kood gaya aur usko apni balishtha bhujao me samet kar pani se bahar nikal laya.

Adirishi-dhyan se nahi baith sakti thi..agar abhi doob jati to...?

Rajnandini (mushkura kar)-kaise doob jati..? Aap jo the na mujhe bachane ke liye, mujhe doobne thodi hi dete.

Adirishi-phir bhi thoda dhyan to rakhna hi chahiye tha na apna..

Rajnandini-vaise aap yaha roj kyo aate hain..?

Adirishi-pata nahi.....bas dil khich lata hai mujhe yaha.....aur aap kyo aati ho..... ?

Rajnandini (sharmate huye)-mmm...main...main to pani bharne aati hu...aap ki tarah tanka jhanki karne thodi hi aati hu...

Adirishi-achcha ji....bhala maine kya hai kisi ka.... ?

Rajnandini-aur nahi to kya.....apko achcha lagta hai aise ladkiyo ko yaha aate jate dekhte huye.... ? ye koi achchi baat thodi hai..

Adirishi-main sabko dekhne thodi hi aata hu.....main to bas tumhe dekhne aata hu...kisi aur se mujhe kya lena dena.

Rajnandini-achcha ji...to janab ko mujhse kuch lena dena hai....par main to apko janti tak nahi to phir ye lene dene wali baat kaha se aa gayi.... ?

Adirishi-koi baat nahi...to ab jaan pahchan kar lete hain...mera naam adirishi hai..aur tumhara.... ?

Rajnandini-main kyu batau apna naam kisi ajnabi ko.... ? vaise sab mujhe rajnandini kahte hain....aur ye adirishi kaisa ajib naam hai....rishi ya phir adii theek hai.....main to rishi hi kahungi

Adirishi-rajnandini....bahut pyara naam hai...main bhi nandini hi kahunga.

Rajnandini-mera naam mat bigado....vaise hi itna badnam kar diya hai tumne mujhe..

Adirishi-maine kab badnam kiya tumhe.... ?

Rajnandini-vahi to....ab aise poora din bhar mujhe ankhe phad phad kar dekhoge to meri badnami nahi hogi to kya hoga.... ?

Adirishi-agar tumhe mera dekhna bura lagta hai to kal se nahi dekhunga..

Rajnandini-maine kab mana kiya ki mat dekho.... ? mera matlab hai ki....aise sab logo ke samne mat ektak dekha karo..

Adirishi-kya karu tumhe dekhte hi ankhe apna rasta hi bhatak jati hain...unhe aur kuch dikhayi hi nahi deta to main kya karu... ? tumhi batao na

Rajnandini (sir jhuka kar)-main ...kya...batau.... ? ab main chalti hu..bahut samay ho gaya....maa aaj bhi daantegi bahut...ye sab tumhare chakkar me ho raha hai..khud to pagal ho, sath me mujhe bhi pagal bana kar ke rahoge.

Adirishi-mere chakkar me kyo.... ?

Rajnandini (sharma kar)-mujhe nahi pata..pata hai apke aise mujhe din din bhar ghurne se, meri poore gaon me badnami ho rahi hai....meri sabhi saheliya mujhe chidati hain.

Adirishi-kya kahti hain..?

Rajnandini-vo kahti hain ki mujhe tumse..jao main nahi batati, jaise tumhe kuch pata hi na ho..?

Adirishi-batao na vo kya kahti hain..?

Rajnandini (sharma kar)-sab kahti hain ki.mujhe.mujhe tumse..p.py..pyar ho gaya hai.

Adirishi-main bhi tumhe bahut chahta hu.tumhe dekhe bina bina na to raat gujarti hai aur na din.kya tum mujhse shadi karogi...?

Rajnandini (sir jhuka kar)-apni shadi ka faisla main kaise kar sakti hu..? Uske liye to tumhe mere mata pita se baat karni hogi.

Adirishi-main jarur baat karunga unse.

Aur iss tarah se dono ke prem ki shuruat ho gayi..ab dono prati din ek dusre ki baho me simte pade rahte kafi samay tak..na din ka hosh, na raat ka pata..jungle me ek ped ke niche unhone har roj milne ka apna ashiyana bana liya tha...rajnandini ke baar baar jor dene par vo uske pita se milne ko raji ho gaya..rajnandini ne uska naam rishi rakh diya.

Agle din vo rajnandini ke bataye samayanusar uske ghar pahuch gaya..uss samay vidhya dhar bhiksha yapan karne ke uparant loute hi the.aur bhojan karne baith hi rahe the..tabhi adirishi pahuch gaya.unhone usko bhi sath me bhojan karaya..uske baad..

Vidhya dhar-kaho kaise aana hua...?

Adirishi-ji maine suna hai ki aap apni beti ke liye kisi var ki talash kar rahe hain... main apki putri rajnandini se vivah karna chahta hu.

Vidhya dhar-pahle apne vishay me kuch batao..?

Adirishi-ji mera naam rishi.matlab ki adirishi hai.. shri sukhdev ji mere pita ji hain.main apke bagal ke gaon me rahta hu..maa ne bataya tha ki mera naam karan bhi aapne hi kiya tha.

Vidhya dhar (kuch der soch kar)-achcha to tum rishi priyamedh ke vansh se ho.

Adirishi-ji aapne bilkul sahi kaha.

Vidhya dhar-meri putri rajnandini ko jante ho...?

Adirishi-ji

Vidhya dhar-kya tum meri beti se prem karte ho.... ?

Adirishi-ji haan, apni jaan se bhi jyada.

Vidhya dhar-yadi tum meri beti se prem karte ho to prem ki kimat chukao....de sakoge apne prem ki kimat mujhe.... ?

Adirishi-ji kahiye...aap jo chahe maang lo...main dene ko taiyar hu...

Vidhya dhar-prem tumne kiya hai..to uski kimat bhi tumhe hi pata honi chahiye... ?

Adirishi (hairan ho kar mann me)-prem ki kimat kya ho sakti hai..?

Vidhya dhar-nahi pata.? to pahle apne prem ki kimat pata kar ke aao...tab meri beti ka hath mangna........ab jao.

Adirishi pareshan ho kar unke ghar se nikal gaya..raste me jo bhi koi milta to usse prem ki kimat ke baare me puchta lekin koi jawab nahi de pa raha tha..uske pita bhi uss prashna ki khoj me bahar gaye huye the kafi din se warna unse hi puch leta.

Chuttad-yaar baat kya hai.tu itna udas kyo rahta hai..?

Nangu-haa bata na rishi..kya baat hai..?

Gangu-lagta hai ki aaj kal rajnandini bhabhi ne kuch jyada hi kaan khich diye hain apne yaar ke

Pangu-dekh hamse nahi batayega to kisse batayega.?

Adirishi-are yaar baat ye hai ki.(poori baat bata deta hai)

Chuttad-dekh yaar hame to iski kimat ke baare me kuch pata nahi hai lekin maine suna hai ki aaj kal yaha se thodi hi door pipal wali pahadi ke uss paar ek vidwan mahatma rahte hain.unke sharir me bahut tez hai.vah tumhare prashna ka uttar avashya de denge.

Adirishi-agar aisa hai to main aaj hi unke paas jaunga..rajnandini se mile huye do din kya huye aisa lagta hai jaise barso se na dekha ho usko.

Nangu-are abhi mat jana vaha..sab kahte hain ki uss pahadi jo pipal ke ped hain na, uss par brahma rakshas rahte hain..jo bhi raat ke samay vaha jata hai vo jinda nahi aata phir.vo usko maar kar kha jate hain.

Chuttad-arey sidhe sidhe bol na ki vaha jinn rahte hain..jinn ko hi brahma rakshas kahte hain.

Adirishi-koi brahma rakshas nahi hota hai.sab bakwas hai..theek hai..kal chala jaunga

Sab ke chale jane ke baad adirishi bhi ghar lout aaya kintu uska mann nahi lag raha tha kahi bhi.to usne sidhe apne dosto ki batayi ussi pahadi ki taraf chal diya.

Sandhya hone hi wali thi.vah jaldi jaldi chalte huye karib teen ghante me uss pahadi ke paas pahuch gaya.tab tak din to dhal gaya tha lekin abhi andhera poori tarah gahraya nahi tha..uss vishal pipal ke pe ke nazdik pahuchte hi usko apne dosto ki kahi huyi baate yaad aa gayi to usne ek baar uss vishal ped ki oor dekha aur phir sarpat pahadi par chadh gaya bina piche dekhe hi.

Pahadi par chadhte hi use pipal ka ped dekhne laga lekin vaha to charo taraf pipal ke ped lage huye the.usne jaldi jaldi pahadi se niche utar kar idhar udhar dekhne laga tabhi uski nazar ek ghaas phoos ki bani choti si jhopdi par gayi..vo turant udhar hi chal diya aur pahuch bhi gaya jaldi hi.

Jhopdi ke bahar ek ped ke niche ek ati tejaswi mahatma dhyan mudra me baithe huye the..atah vah unke ankhe kholne ki pratiksha karne laga.jaise hi unhone ankhe kholi..

Adirishi-pranam swami ji

Mahatma-tumhara kalyan ho.kaho koun ho tum vats aur iss samay yaha aane ka kya prayojan hai tumhara.?

Adirishi-hey munivar, mera naam adirishi hai..ek prashna ka uttar janne ki abhilasha ne mujhe apke paas aane ko vivash kar diya tha.meri vajah se aap ki sadhna me jo vyavdhan uttapann hua uske liye main kshama chahta hu.

Mahatma (kuch der ankhe band rakhne ke baad)-bolo ! kya prashna hai.?

Adirishi-mera prashna hai ki prem ki kimat kya hai...?

Mahatma (haste huye)-pagle.. ! ye prashna to tu khud se puch, jo teri kimat hai, vahi tere prem ki kimat hai.

Adirishi-mahatma ji, apki baat meri samajh me nahi aayi...kripaya thoda saral shabdo me samjhaiye.

Mahatma-tu apne sharir se prem karta hai ki nahi.... ?

Adirishi-haan..karta hu.

Mahatma-to apne sharir ki kimat bata.... ?

Adirishi-kaisi baat karte hain munivar... ? iss sharir ke bina mera astitva hi kya hai... ? mere liye yah anmol hai, main isse nahi bech sakta..

Mahatma (haste huye)-yahi tere prashna ka uttar hai.prem bhi amulya hai.prem ki koi kimat nahi hoti. prem ka sauda nahi kiya ja sakta.jaha prem hota hai, vaha kuber ka khajana bhi khali pad jata hai.to phir tu kya cheez hai jo prem ki kimat chukayega..? Jis prem ki kimat hoti hai, vo prem nahi sauda hai.

Adirishi-main samajh gaya mahatma ji.mujhe mere prashna ka uttar mil gaya.mujhe agya de ab, pranam

Mahatma-tumhara kalyan ho

Adirishi (jate jate ruk kar)-agar aap bura na mane to kya main ek baat puch sakta hu..?

Mahatma (mushkura kar)-avashya pucho jo bhi puchna hai.?

Adirishi-ye brahma rakshas ya jinn kya sach me hote hain.? Aur kya vo yaha bhi rahte hain... ?

Mahatma-avashya hote hain...kintu vats, brahma rakshas aur jinn dono alag alag hain ..ek nahi hain dono.

Adirishi-lekin mere kuch dost to kahte the ki dono ek hain... ?

Mahatma-nahi putra ye satya nahi hai..brahma rakshas vastav me brahman ki aatma hoti hai jo janam to brahman kul me leti hai lekin bure aur patit karm karne lagti hai..tab lambe jeevan ke baad unhe rakshas yoni me bhatakna padta hai.iski vajah apni vidya ka galat prayog karna hai.brahman kul me kuch uchcha gyani insan ka janam isliye hota hai jisse vo dusro ko apne gyan se prashikshit kar sake, jab vo aisa nahi karte hain tab vo mrityu ke baad brahma rakshas ban jate hain..brahma rakshas banne ke baad unme gyan ka star utna hi rahta hai lekin vo insano ko khane lagte hain.dusre shabdo me unme brahman aur rakshas dono ke gun hote hain, isliye unhe brahma rakshas kaha jata hai..brahma rakshas me bahut shaktiya hoti hain aur bahut kam log hi inn par kabu pa sakte hain ya phir unhe iss yoni se mukti dila sakte hain...Jabki Jinn chirag me bhi rahta hai..gufa me bhi rahta hai.. purane gharo aur khandahar me bhi rahta hai..aur usko koi bhi tantrik asani se apne kabze me kar ke bottle me band kar leta hai.

(As per Bhagwat Geeta Chapter 8)

Adirishi-to phir inko kaise niyantrit kiya ja sakta hai..?

Mahatma-inke paas apne brahman swaroop ka gyan aur tap hota hai jiski vajah se inhe niyantrit karna behad kathin hota hai.inhe kewal vahi niyantrit kar sakta hai jo usse adhik gyani hone ke sath sath jisne apni kundali jagrit kar li ho..dusra koi anya inhe niyantrit nahi kar sakta.

Adirishi-ye kaha rahte hain..?

Mahatma-ye kewal pipal ke ped me hi rahte hain..pipal ke alawa kisi dusre ped par ye nahi rah sakte kyon ki vo sab nimna shreni ke vriksh hote hain..jab koi uss pipal ke ped ko kaat deta hai jisme vo rahto ho, tabhi brahma rakshas uske upar kroadhit hota hai..yahi vajah hai ki jab bhi koi naya bhawan nirman ka karya prarambh hota hai to brahma rakshas ki pooja ki jati hai.

Adirishi-mahatma ji kya aap mujhe apna shishya swikar karenge..?

Jab koi jawab nahi aaya to adirishi ne piche mud ke dekha to vaha koi nahi tha.to vo vaha se chupchap apne ghar ke liye lout pada..chalte chalte jaise hi vo pahadi ke upar pipal ke paas pahucha vaise hi...
 
[color=rgb(184,]CHAMATKAR
UPDATE- 103[/color]



Mahatma-ye kewal pipal ke ped me hi rahte hain..pipal ke alawa kisi dusre ped par ye nahi rah sakte kyon ki vo sab nimna shreni ke vriksh hote hain..jab koi uss pipal ke ped ko kaat deta hai jisme vo rahto ho, tabhi brahma rakshas uske upar kroadhit hota hai..yahi vajah hai ki jab bhi koi naya bhawan nirman ka karya prarambh hota hai to brahma rakshas ki pooja ki jati hai.

Adirishi-mahatma ji kya aap mujhe apna shishya swikar karenge..?

Jab koi jawab nahi aaya to adirishi ne piche mud ke dekha to vaha koi nahi tha.to vo vaha se chupchap apne ghar ke liye lout pada..chalte chalte jaise hi vo pahadi ke upar pipal ke paas pahucha vaise hi...

Ab aage..

Mahatma ji se milne ke pashchat pahadi se hote huye jaise hi main pipal ke ped ke nazdeek pahucha to anayas hi meri nazar uss ped ki oor chali gayi.tabhi mujhe vaha koi khada nazar aaya.

Main dhire dhire thoda aage gaya to mera dhyan uske pairo ki taraf gaya jo ki jamin se upar uthe huye the aur uska chehra bhi bada vichitra tarah ka lag raha tha.halanki vo andhera hone ke karan saf saf nahi nazar aa raha tha. main samajh gaya ki shayad yahi brahma rakshas hoga to maine vahi se pipal ke ped ko pranam kiya aur sarpat apne ghar ki oor bhag chala.

Ghar pahuchte hi maine rahat ki saans li..mere mann me ab ek khushi thi ki rajnandini jarur ab mujhe mil jayegi kyon ki mujhe uss prashna ka uttar mil chuka tha jo uske pita ne mujhse pucha tha..main bhojan banane baitha lekin mere dil me rajnandini se milne ki chahat badhti hi ja rahi thi..ek ek pal jaise mere liye ek varsh ke saman vyatit ho raha tha.

Bhojan banana band kar ke main bhukhe pet hi let gaya aur subah hone ki pratiksha karne laga.kintu na jane kyo aaj subah ho hi nahi rahi thi..mujhse jab aur intazar karna mushkil ho gaya to main aadhi raat me hi rajnandini ke ghar ki taraf chal pada.

Uske ghar tak pahuchne me mujhe ek ghanta lag gaya..kyon ki raste me nadi padti thi..maine andhere me hi kisi tarah girte padte nadi ko tair kar uss paar pahucha..charo taraf sunsan andhera pasra hua tha..kutto ke bhokne ke atirikt aur kisi ki awaz sunayi nahi de rahi thi.

Rajnandini ke ghar pahuch kar main darwaje ke paas ja kar dekhne laga ki shayad koi jaag raha ho ya kuch andar se ujala mahsoos ho magar aisa kuch bhi nahi hua.sab ke sab ghode bech kar so rahe the.

Maine raat me kisi ko jagana uchit nahi samjha .isliye unke darwaje par hi baith kar subah hone ka intazar karne laga..subah lagbhag char baje ke aas paas mera intazar tab khatam ho gaya jab pandit ji darwaja khol kar hath me lota liye bahar nikle nitya kriya ke liye.

Andhera abhi bhi tha..isliye jaise hi vo bahar aaye kisi ko darwaje par baithe dekh kar darr gaye aur jhat se andar ghus kar darwaja band kar liya unhone.

Main darwaja khatkhatata raha lekin unhone ya kisi ne bhi darwaja nahi khola..main vapis vahi niche baith kar apni kismat ko kosne laga.

Akhir kar mera intaar khatam hua aur din ka ujala phailte hi ghar ke andar se chaand nikal aaya..to jaise mere bechain ruh me jaan aa gayi..rukti huyi saanse phir se vapis lout aayi..kyon ki ab ki baar darwaja uske buddhe baap ne nahi balki rajnandini ne khola tha.

Mujhe dekhte hi pahle to vo chounk kar hairan rah gayi lekin phir jaldi hi meri baho me simat gayi.uske baho me aate hi meri raat bhar ki thakaan aur taklif sab jaise ek kshan me hi gayab se ho gaye.

Rajnandini (shikayat karte huye)-itne din mujhse milne kyo nahi aaye..? Main uss ped ke niche baith kar kitna intazar karti thi poora din bhar.?

Adirishi-kaise aata, tumhare pita ne milne se mana jo kiya hua tha, jab tak unke prashna ka uttar na pata kar lu.

Rajnandini-to ab mil gaya uttar.?

Adirishi-hmmmm

Rajnandini-yaha itni subah subah aa gaye.kyo..?

Adirishi-subah nahi nandini.main to raat se hi yahi par hu.

Rajnandini (shocked)-kyaaaa...raat se... ? iska matlab vo tum the jab pita ji bahar nikle the.?

Adirishi-hmmm

Rajnandini-pata hai.pita ji itne darr gaye the ki unka sab kuch dhoti me hi ho gaya..daraya kyo unko.?

Adirishi-maine kaha daraya.vo khud hi darr ke mare andar ghus gaye the to main kya karta.

Tabhi andar se kisi ke aane ki aahat pa kar hum dono ek dusre se alag ho gaye..pandit ji bahar darwaje ki choukhat tak aa kar pahle apni gardan nikalke idhar jhanka ki koi hai to nahi.phir unki nazar mere upar gayi.

Vidhya dhar-tum kab aaye.?

Rajnandini-pita ji, ye raat se hi aaye huye hain.hihihihi

Vidhya dhar (chounk kar)-kyaaaa..ye tha raat me.? Tumne kahi kuch bola to nahi..?

Adirishi-nahi.nahii..apki beti ne apki dhoti kharab hone ke baare me kuch nahi bataya.aur maine bhi kuch nahi suna.

Vidhya dhar (apna sir pakad ke)-iss ladki ke pet me koi baat hazam nahi hoti...achcha tum baitho main naha kar aata hu..phir baat karenge.

Adirishi-ji achcha.

Vidhya dhar naha kar aane ke pashchat pooja karne me lag gaye aur main chori chori rajnandini ko dekhne ki koshish me laga raha tab tak.hum dono ki ankh micholi tab tak chalti rahi jab tak ki uske pita ki pooja khatam nahi ho gayi..maa to rasoyi ghar me thi.

Vidhya dhar-to tum prem ki kimat chukane ke liye taiyar ho..? To chukao phir kimat apne prem ki..

Adirishi-pandit ji main prem ki kimat chukane ke apne ghamand ke liye aap se kshama maangta hu.hey brahman prem to amulya hai.uski kimat nahi chukayi ja sakti hai.kintu apki beti ke prem me main swyam ko chukane ke liye taiyar hu.

Vidhya dhar-mujhe khushi hai ki tumhe prem ki kimat ka andaza ho gaya..main sirf ye dekhna chahta tha ki tum me rishi priyamedh ke koi gun hain ya nahi.tum meri beti se prem karte bhi ho ya sirf umra ka akarshan matra hai main tumse ati prashann hu..jaldi hi main tumhare pita ji se aa kar milunga tum dono ki shadi ke liye.

Adirishi-apka bahut bahut dhanyawad pandit ji.

Main khushi khushi rajnandini ke ghar se lout aaya..rajnandini bhi shadi ki baat pakki ho jane se bahut khush thi vo chupke chupke hamari sari baate sun rahi thi.

Ghar aa kar main naha dho kar so gaya.shaam ko need khuli to mujhe kal wale mahatma ka khyal aaya aur mene mann me unse kuch aur bhi sikhne ki ichcha paida hone lagi to main unse milne ke liye nikal gaya.

Abhi din doobne me kuch waqt shesh tha.maine vaha pahuch kar dekha ki vo mahatma ussi jagah par dhyan mudra me baithe huye hain.to main bhi unhe pranam kar ke unke dhyan se uthne ki pratiksha karne laga.

Dhyan me unhe jaise hi ye prattit hua ki koi aaya hai to unhone apni ankhe khol li aur apne samne mujhe dekh kar rahasmay dhang se mushkura uthe.

Mahatma (mushkurate huye)-kya baat hai.tum aaj phir aa gaye.? Tumhare prashna ka uttar to kal mil gaya tha na.?

Adirishi-ji mahatma ji.mere prashna ka uttar to mil gaya tha.kintu aaj mere dimag me uth rahe ek prashna ne mujhe apke paas aane ke liye vivash kar diya.

Mahatma-aisa koun sa prashna aa gaya jisne tumhe iss samay yaha aane ko vivash kar diya.?

Adirishi-kal jab main aap se milne ke baad ja raha tha to mujhe pahadi ke upar pipal ke ped ke paas koi ajib sa prani dikha tha..main ye to nahijanta ki vo brahma rakshas tha ya phir koi aur.? Kintu uske pair jamin se upar uthe huye the..tabhi se mere mann me ek prashna umad raha hai baar baar.

Mahatma-koun sa prashna..?

Adirishi-bhoot, pret, pishach ..aadi ye sab to hame dikhayi dete hain kabhi na kabhi kintu devta kyo dikhayi nahi dete hain..?

Mahatma-bhoot, pret, pishach aadi inn sabki atrapt yoni hoti hai.aur samanyataya inka sharir do tatvo se bana hua hota hai aur vo tatva hain vayu aur agni...isliye vah hame dikhayi nahi dete hain..par jab koi pret pishach apni atript ichcha ko poori karne ke liye bahut jyada utsuk hota hai to tab vo lamba anusandhan kar ke apne sharir me akash tatva ko kuch samay ke liye samavist kar leta hai.jisse vo manav ko dikhne lagta hai..par tabhi tak ke liye jab tak ki akash tatva uske sharir me hai..lekin iss sthiti me koi uske sharir ko chhu nahi sakta, kyon ki vo vayu swaroop hi hota hai aur usko chhune wale ka hath uske sharir ke aar paar nikal jata hai.

Mahatma-kuch behad atript paraloukik jeev chhune ka bhi ehsaas pana chahte hain isliye vo bahut prayas kar ke apne andar akash tatva ke sath jal tatva ka bhi samavesh kar lete hain.jisse kuch samay ke liye vo sparsh ka bhi anubhav pa sakte hain par iss sthiti me agar koi admi uss pret, pishach ko chhu le to aisa lagega jaise usne burf ko chhu liya matlab itna thanda hota hai uska sharir.

Mahatma-Ye pret, pishach yoni wale koi bhi chahe kuch bhi kar le, vah paanchve tatva yani ki prithvi tatva ka apne sharir me samavesh nahi kar sakte.kyon ki inn paanch tatva se hi hum manav ka sharir bana hua hai..aur kisi bhi paraloukik jeev ko uss yoni se vapis manav yoni me aane ke liye use pahle sabhi papo ka prayaschit karna padta hai..tab agar uske karm iss layak rahe ki manav jaisi durlabh yoni mil sake to hi manav yoni milti hai anyatha nimna yoni jaise kide, makode, machchar, jeev-jantu, ped, poudhe aadi ki yoni me bheja ja sakta hai..prithvi tatva ki kami ki vajah se hi har paraloukik jeev ka sharir kabhi bhi prithvi ko sparsh kar ke nahi chalta hai balki jamin se kuch upar utha hua hota hai.

Mahatma-Uchch yoniya jaise dev yoni ka sharir chhah (six) tatvo se bana hua hota hai.jisme se paanch tatva dharti, akash, jal, vayu, agni ke alawa akshar tatva bhi hota hai..ye akshar tatva vo hota hai jo in devtao ke divya shariro ka nash nahi hone deta hai aur inhe hamesha yuva, mahabali aur ajar banaye rakhta hai.isliye hi inn dev purusho ke sharir ka tez samanya manav bardast nahi kar pate hain.agar inn dev purusho ko manav apni sthul ankho se dekh le to dev purusho ke divya tez se manav andha ho jayega aur uski twacha bhi jal jayegi.

Mahatma-agar ye dev apne akshar tatva ko apne sharir se kuch der ke liye bahar kar de to har manav inhe asani se dekh sakta hai par iss douran agar uss devta ke panch tatvo ke sharir ki kisi karan se mout ho gayi to vo dev buri tarah se phans sakta hai.kyon ki use jo naya sharir milega usme use sixth tatva ko phir se samavesh karne ka tarika janna behad mushkil hoga jisse vo dev purush anant kaal ke liye bhatkav ke chakra me phans sakta hai bina dev sharir vapis paye..isliye dev purush apne tez ko kam kar ke sadharan manav ke samne aane ke bajaye kewal unhi tapaswi santo ko darshan dete hain jo unka roop bardast karne ki kshamta rakhte ho.

Mahatma-hum manav teen aayami (lambayi, choudayi, unchayi) ke sansar me rahte hain.isliye 3 aayam se jyada aayam ke loko ko uchch lok kahte hain aur 3 aayam se niche aayam ke loko ko nimna lok kahte hain.devta 4 se 10 aayam ke madhya aate hain jabki 11th aayam me hamare brahmand ke nirmata brahma ji rahte hain.aur 11va aayam hamare iss brahmand ka akhiri aayam hota hai.

Par inn sabhi 11 aayam aur inn sabhi aayam me rahne wale sabhi prani chahe vo koi bhi devta jaise surya, chandra, indra, shani ya phir jo bhi ho, manav, danav, sabhi prani ki mrityu nishchit hai..mout se na to koi devta bach pata hai aur na hi khud brahma ji.na to manav, na danav aur na hi koi anya jeev.

Kewal bhagwan shiv aur bhagwan vishnu ke bhakt hi bach pate hain..kyon ki shiv ji ke bhakt, shiv lok ko aur vishnu ji ke bhakt, baikunth lok ko prapt hote hain.aur uska kabhi bhi nash nahi hota hai kyon ki dono anant aayam se bane huye hain..isliye hi inn dono loko ko akshay lok arthat kabhi na nasht hone wala lok kaha jata hai.
 
[color=rgb(184,]CHAMATKAR
UPDATE- 104[/color]


FLASHBACK CONTINUES.....

Mahatma-hum manav teen aayami (lambayi, choudayi, unchayi) ke sansar me rahte hain.isliye 3 aayam se jyada aayam ke loko ko uchch lok kahte hain aur 3 aayam se niche aayam ke loko ko nimna lok kahte hain.devta 4 se 10 aayam ke madhya aate hain jabki 11th aayam me hamare brahmand ke nirmata brahma ji rahte hain.aur 11va aayam hamare iss brahmand ka akhiri aayam hota hai.

Par inn sabhi 11 aayam aur inn sabhi aayam me rahne wale sabhi prani chahe vo koi bhi devta jaise surya, chandra, indra, shani ya phir jo bhi ho, manav, danav, sabhi prani ki mrityu nishchit hai..mout se na to koi devta bach pata hai aur na hi khud brahma ji.na to manav, na danav aur na hi koi anya jeev.

Kewal bhagwan shiv aur bhagwan vishnu ke bhakt hi bach pate hain..kyon ki shiv ji ke bhakt, shiv lok ko aur vishnu ji ke bhakt, baikunth lok ko prapt hote hain.aur uska kabhi bhi nash nahi hota hai kyon ki dono anant aayam se bane huye hain..isliye hi inn dono loko ko akshay lok arthat kabhi na nasht hone wala lok kaha jata hai.

Ab aage..

Adirishi-kintu maine to suna hai ki devta to amar hain.unhone samundra manthan ke baad jo amrit nikla tha, usko pine ke baad vo amar ho gaye the, phir unki mrityu kaise ho sakti hai...?

Mahatma-amar hone ka tatparya yaha ye hai ki jo kabhi na marr sake.kintu iska arth sharir ke amar hone se nahi hai.bas ye samajh lo ki ye sabhi devta chahe vo Indra ho, Vayu, agni, surya, chandra, shani etc. jitne bhi hain.. Ye naam unhe tab mile the jab srasti ki shuruat huyi thi..baad me inn namo ko hi pad bana diya gaya.arthat unke sharir to nasht ho gaye lekin unke naam aaj bhi amar hain..jaise hi unke jeevan ka samay poora ho jata hai.to koi dusra sharir indra, agni, vayu surya ya phir shani ki jagah le leta hai.ye sabhi pad ke naam hain kisi sharir ke nahi.. ek baat samajh lo ki jo bhi janma hai uski mrityu bhi nishchit hai..chahe ho srasti ka koi bhi prani ho.devta bhi iss kaal chakra ke bandhan se mukt nahi hain.kya devtao ke mata pita nahi hain.? Vo bhi to kisi na kisi se janme hain..? aur har janam lene wale ki mout bhi honi pakki hai...kintu bhagwan shiv aur shri vishnu ji kewal aise hain jo ajanma aur avinashi hain..in dono ko chhod kar shesh sabhi ki mrityu hoti hai.mout se bhi bhala koi bacha hai aaj tak.na koi devta, na manav, na danav, aur na hi srasti me janma anya koi bhi prani.

Samast sansari jeevo ka astitva Narki, Devta, Tiryak (pashu, pakshi, keede) aur manusya, inn bhedo me paya jata hai..inhe hi char gatiya kahte hain..arthat sansari jeevo ka avagaman hamesha inn char sthano me hota rahta hai.

Har ek gati ke jeevo ki apni alag alag aayu hoti hai..jiski jitni aayu hoti hai vah utne hi kaal tak uss gati me rahta hai. Tiryak aur manusya, karan vash apni nirdharit aayu se pahle bhi marr jate hain jise akaal maran kahte hain.

Nark aur devtao me akaal maran nahi hota..marne ke baad vah jeev apni achchi buri karni ke phal se ya to ussi gati me jisme ki vah mara hai, phir se janam leta hai ya anyany gatiyo me janam leta hai..kintu nark aur dev gati ke devta marne ke baad lout kar punah ussi yoni me janam nahi lete hain, yadhyapi anya gatiyo me jane ke baad jeev nark aur dev gati ko prapt ho sakte hain.

Brahmandiya niymo ke anusar dev aur nark, dono hi gati ke jeev, prayah tiryak aur manav yoni me janam lete hain.. devta aur nark vasiyo ki samanyatah aayu 10000 varsh (kintu yah gadna yaha ke samay ke sapeksh hai) hoti hai.

Kisi bhi gati se mare huye jeev ko anya lok me janam lene me palak jhapakne matra ke samay se bhi kam samay lagta hai..mrityu ke baad sharir me se nikal kar koi jeev jab lokantar me jata hai, tab uska aakar pahle ke aakar ki tarah rahta hai..jab vah janmantar ya anya lok me ja kar dusra naya sharir grahan karta hai tab uska aakaar naye sharir ki tarah ho jata hai.

Jab devta aur nark ke vasiyo ki vartman aayu ke samapt hone me 6 (six) maah ka samay shesh rah jata hai, tab unke agle janam ki aayu ka nirman hota hai..arthat unke agle janam ki aayu (karm) ka bandhan hota hai aur uss aayu-karm ke phal se jitni aayu usne baandhi hai, utne samay tak usse agle janam (yoni) me rahna padta hai.

Issi tarah manusya aur tiryako ke apni vartman janam ki aayu ke teen bhago me (bachpan, jawani, budhapa) se do bhago ke vyatit ho jane par teesre bhag me unke agle janam ki aayu ka nirdharan hota hai.

Lekin inhe yah pata nahi lagta hai ki inki aayu kitni hai aur agle janam ki aayu bandh ke nirdharit hone ka samay koun sa hai..? aayu banne ke samay uttam parinam (achche karm) hone se agle janam me achchi gati milti hai. Vah apne achche karm se dev lok me janam le kar kisi bhi devta ka sthan pad pa sakta hai.isiliye hi manusyo ko hamesha hi apna aachar vichar shrestha rakhna chahiye..pata nahi agle janam ki aayu banne ka samay aa jaye.

Upar varnit char prakar ki gatiyo me se manusya aur tiryako (pashu, pakshi, keede, makode) ki gati ko prapt huye jeev issi prakar se janam janmantar tak ghumte rahte hain, jab tak ki unme gyan ka abhyuday na ho.
(Rigved, Shiv Puran, Vishnu Puran, Durga Puran, Bhagwat Geeta, Narsingh Puran, Garud Puran, Jain Shastra, Bouddh Shastra mein Likhit varnan ke aadhar par)

Adirishi-mahatma ji aap koun hain..?

Mahatma-Jaat na pucho sadhu ki, Puch lijiye gyan

Mol karo Talwar ka, Padi rahan do myan.

Putra sadhu se kabhi unki pahchan nahi puchni chahiye..haa, lage to unse gyan arjit karne ki koshish karna chahiye..theek vaise hi talwar ki kimat karo uske myan ki nahi kyon ki bina talwar ke myan ki koi kimat nahi hoti.

Adirishi-mujhe kshama kare mahatma ji.

Mahatma-vats, yaha maine myan iss sharir ko aur talwar, uss sharir ke andar rahne wali jeevatma ko kaha hai. apne sharir ki sundarta ka ghamand kabhi mat karna kyon ki agar uss sharir se vo jeevatma nikal gayi to sharir ki iss sundarta ka koi mahatva nahi rah jayega.

Adirishi-mahatma ji aap to bahut gyani hain..mujhe apna shisya swikar kar ke mujhe anugrahit kare.

Mahatma-iska matlab ki tum mujhe apna guru banana chahte ho..?

Adirishi-ji mahatma.

Mahatma-to phir mera shisya banne ke liye tumhe apni yogyata siddh karni hogi.

Adirishi-aap adesh kijiye, mujhe iske liye kya karna hoga..?

Mahatma-agle ek maah ke andar tumhe mujhko koi anmol bhent deni hogi.to hi main tumhe apna shisya banaunga warna nahi.

Adirishi-theek hai mahatma ji..main poori koshish karunga.kintu kis tarah ki anmol bhent chahte hain aap..?

Mahatma-mujhe aisi anmol bhent chahiye jo kisi ke paas na ho..

Main abhi aur bhi kuch puchta ki usse pahle hi vo gayab ho gaye.to maine bhi unhe mann hi mann pranam kar ke apne ghar ki taraf chal diya.

Raste me vahi pipal ka ped pada jaha aaj bhi koi khada tha.mujhe pata nahi kya sujhi ki mere kadam apne aap hi ussi disha me chal pade..aaj mere mann me kafi shanti thi..vaha pahuch kar maine pipal ko pranam kiya aur phir uss khade shakhs ko dekhne laga.andhera hone ki vajah se spast to dikhayi nahi de raha tha phir bhi chaand ki halki roshni me itna jarur samajh me aaya ki uske pair jamin se kuch inch upar uthe huye hain.

Dekhne se hi vo kafi darawna dikh raha tha....main ektak usko dekhta raha...na jane kyo aaj mujhe usko dekh kar kisi bhi prakar ka koi bhay mahsoos nahi ho raha tha.

Adirishi-kya aap hi brahma rakshas ho..?

Vo-haaaa,..main hi brahma rakshas hu..lekin tum yaha iss samay kya kar rahe ho.? Bhag jao yaha se.aur phir kabhi iss samay idhar mat aana..isse hamari shanti me badha paida hoti hai.

Adirishi-main to pahadi ke dusri taraf rahne wale mahatma ji se milne aata hu.main apko koi pareshan karne nahi aata..maine to suna hai ki brahma rakshas bahut khatarnak hote hain, aur vo logo ko maar ke kha jate hain kintu aap to bahut achche hain.

Vo-tumne sahi suna hai.par sab ek jaise nahi hote..jaise tum logo ke swabhav me bhinnata hoti hai vaise hi hamare swabhav bhi alag alag hote hain.tum abhi tak jivit isliye khade ho kyon ki tumne hamare ghar iss pipal ko pranam kiya hai..vaise tum bhi bahut achche ho

Adirishi-shukriya.log bevajah hi aap se darte hain.

Vo-apni mout se koun nahi darta, yaha tak ki devta bhi mout se darte hain....main sirf unn logo ko hi maarta hu jo ya to mera ye ghar pipal ko kaat dete hain ya phir iss ped ke aas paas gandagi phailate hain..jaise ki mal mutra visarjit karna....lekin main tumse khush hu...isliye tumhe kuch dena chahta hu, ye tumhe bhavishya me bahut kaam ayegi.

Adirishi-main kuch samjha nahi..... ?

Vo-abhi samjhata hu..

Usne apni ankhe band ki aur hath aage kiye ki uske hatho me ek anguthi aa gayi...jo ki bahut khubsurat hone ke sath hi sath chamakdar bhi thi.

Vo-ye lo...iss anguthi ko pahan lo..isko pahanne ke baad tum jab bhi chahoge adrishya ho sakte ho, aur apni marzi se phir se drishya avastha me aa sakte ho....ek aur baat adrishya hone ke baad tum apni anchahi jagah par kuch hi samay me pahuch bhi sakte ho.

Adirishi -apka bahut bahut dhanyawad....kya isko pahan ke koi bhi gayab ho sakta hai... ?

Vo-nahi...koi bhi nahi...maine ye anguthi tumhe di hai isliye iski shakti ka prayog kewal tumhi kar sakte ho kintu agar tum ye anguthi kisi ko apni marzi se dete ho to vah bhi iska upyog kar sakta hai...jabardasti ya chura ke pahanne walo par iski shaktiya kaam nahi karegi....ab tum jao yaha se.

Uske baad maine uss anguthi ko pahan liya aur apni ankhe band kar ke adrishya hone ke bare me sochne laga... adrishya hote hi maine ghar ka dhyan kiya.kuch der baad maine jaise hi ankhe kholi to ye dekh kar hairan ho gaya ki main apne ghar par tha.

Adirishi (mann me)-ye to mere bahut kaam ki hai...ab main rajnandini se jab chahe mil sakta hu.

Maine adrishya ho kar rajnandini ke paas jane ka dhyan kiya aur agle hi pal main rajnandini ke paas khada tha jo ki iss samay gahri need me sukun ki need so rahi thi..main uske paas baith kar uske chaand jaise hasin mukhde ko dekhne laga..jab mujhse raha nahi gaya to maine dhire se uske hotho par apne hoth rakh diye aur unka madhur ras chusne laga.

Rajnandini thoda sa kasmasayi to main fauran vaha se gayab ho ke apne ghar aa gaya.jab ki udhar rajnandini kasmasa kar uth baithi aur apne hotho ko check karne lagi jo ki geele the.

Rajnandini (mann me)-yaha to koi bhi nahi hai..phir mujhe aisa kyo laga ki jaise rishi yahi hai aur vahi mere hotho ko chus raha hai.? Hoth bhi geele hain.shayad maine sapna dekha hoga.lagta hai ki main sach much rishi ke pyar me pagal ho jaungi.pahle jagte huye hi dikhayi deta tha, ab to usne mujhe sona bhi mushkil kar diya.

Agle din dost mandli ke aane se meri need khul gayi..main bhi fresh ho kar unke sath baith gaya.sab apni apni bato me magan ho gaye.

Chuttad-rishi, kal tu gaya tha kya kahi..hum jab sandhya samay yaha aaye to tu mila nahi tha.?

Adirishi-haaa, kal main uss pahadi wale baba se milne gaya tha.(phir maine unko sari baat bata di)

Nangu-kyaaaaa.usne tumhe jadui anguthi di..?

Pangu-dikhana jara ye kaise kaam karti hai.?

Adirishi-aise..

Maine unke samne adrishya ho kar dikhaya to sabhi khush ho gaye..sabne bari bari se pahan ke adrishya ho kar uska jayza liya.

Chuttad-wah..! ye to bade hi kaam ki cheez hai..main iski madad se adrishya ho kar kisi ke bhi ghar me ghus kar unko sambhog karte huye dekh sakta hu.

Gangu-chup kar sala ghatiya admi kahi ka.isko jab dekho gandi soch hi aati hai dimag me

Pangu-abe isse achcha hai ki khud hi shadi kar le.

Chuttad-kya karu yaar... ! mera baap meri shadi karna hi nahi chahta lagta hai...main to kab se taiyar hu.

Nangu-to ja ke muth maar

Chuttad-vahi to maar maar ke itna dubla patla ho gaya hu..vaise ek idea hai mere paas

Pangu-kyaaa..?

Chuttad-tum log shadi kar lo phir mujhe bahar kisi ko sambhog karte dekhne ki jarurat nahi padegi..

Nangu-sale teri to...

Gangu-dekha maine kaha tha na ki ye bahut ghatiya soch ka admi hai..sala chuttad ka chuttad hi rahega.

Kuch der aise hi hasi majak chalta raha uske baad main rajnandini se milne chala gaya ussi ped ke paas jaha vo badi se besabri se mera intazar kar rahi thi.

Rajnandini-main kab se tumhara intazar kar rahi hu, tumhe to meri koi fikar hi nahi hai..?

Adirishi (kaan pakad ke)-vo khana banane me samay lag gaya

Rajnandini-to jaldi se shadi kar lo.ab to pita ji ne bhi haa kar di hai.

Adirishi-tumhare pita ji ne to haa kar di kintu mere pita ji bhi to aa jaye.unka ashirwad bhi to chahiye.

Rajnandini-pata hai rishi.kal raat na tum mere sapne me aaye the..lekin mujhe na jane kyo aisa lag raha tha ki tum mere paas hi the aur mere hotho ko chum rahe the.

Adirishi (baho me le kar)-aise chum raha tha kya.? Ummmmmmmmm

Rajnandini-aise nahi..mere hotho ko jor jor se chus rahe the..

Adirishi (hotho ko chuste huye)-aise kya..?

Rajnandini-hmmm.bilkul aise hi

Adirishi-vaise raat me main tumhare yaha sach me tha.

Rajnandini-kyaaa.? Lekin main to andar so rahi thi..agar tum ne pahle bataya hota to main tumhara intazar karti bahar.

Adirishi-main to tumhare paas hi tha..

Rajnandini-mere paas..lekin kaise..? Darwaja to band tha andar se, phir.... ?

Adirishi-chalo apni ankhe band karo, main tumhe ek jadu dikhata hu..

Rajnandini-theek hai.ab dikhao jadu, lekin kahi chumna vumna nahi..haaa

Adirishi (adrishya ho kar)-ab apni ankhe khol lo aur dekho jadu..

Rajnandini-rishi tum kaha ho.?

Adirishi-main to yahi hu ..tumhare samne...

Rajnandini (shocked)-mere samne... ? to mujhe dikhayi kyo nahi de rahe ho... ? dekho mujhe aisa majak bilkul pasand nahi hai.

Adirishi (godi me utha kar)-ab hua yakin ki main tumhare hi paas me hu...dikh gaya jadu

Rajnandini (shocked)-rishiii.....ye sab kya haii.. ? mujhe koi jadu nahi dekhna, tum samne aao

Adirishi (visible ho kar)-ye lo aa gaya..kaisa laga jadu..?

Rajnandini (nam ankho se)-aisa majak dubara mat karna rishi..tum thodi der ke liye door kya huye, meri to jaise jaan hi nikal gay thi..main tumhare bina jivit nahi rah sakti rishi, nahi rah sakti

Adirishi (chehra upar utha kar)-ye..pagal ye kya.? Tu to rone lagi, achcha yaar mujhe kshama kar de.ab aisi galti phir nahi hogi.pakka wala vada.

Rajnandini-chalo iss baar maaf kiya..vaise kya tha ye.?

Adirishi-kal main ...(poori baat savistar batate huye)..aur mujhe ye anguthi mil gayi.

Rajnandini-ye to bade kaam ki hai.iska matlab kal raat me tumne hi mere hotho ka chuban liya tha na..

Adirishi-hmmmm

Rajnandini-tum mujhe utha nahi sakte the.?

Adirishi-ek khubsurat pari ki need kharab karna mujhe achcha nahi laga isliye nahi uthaya.

Rajnandini-to tumne unn mahatma se apne uss prashna ka jawab kyo nahi puch liya jo rishi kakshivan ne pucha tha..?

Adirishi-jis paheli ka uttar talash karte huye mere vansh ki 8 pidhiya swarg sidhar gayi kintu uska uttar dhoondne me asmarth rahi..agar vo sab bhi chahte to kisi na kisi se puch sakte the, lekin kisi ne aisa nahi kiya.? Iska matlab vo khud hi iss paheli ka uttar dhoondna chahte the.to phir main kaise kisi se puch sakta hu.? Iss paheli ka uttar mujhe swayam hi pata karna hoga, apne anubhav aur gyan se.

Aise hi waqt gujarne laga aur adirishi aur rajnandini ka prem sab ke liye mishal banta gaya.dono ek dusre ke bina ek pahar bhi nahi rah pate the.vo ped unn dono ke prem milan ki yaadgar ban chuka tha.

Tabhi unn dino tabhka koyilee me bhisan badh ka prakop ho gaya.kayi gaon iss badh ki chapet me aa gaye..kayi logo ki jaan gayi.adirishi uss mahatma ki baat ko bhul kar sab ki madad karne me lag gaya.kya raat kya din vo kayi kayi din tak bhukha rah kar bhi logo ko bachane ke kaam me juta raha.rajnandini aur uske dosto ne bhi uska isme sath diya..unhi dino nangu ki maa ka bhi dehant ho gaya.

Uss mahatma dwara apna shisya banne ke liye adirishi ko di gayi ek maah ki avadhi baadh pidit logo ki madad karne me hi samapt ho gayi.

(3058 words)
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 105[/color]


Aise hi waqt gujarne laga aur adirishi aur rajnandini ka prem sab ke liye mishal banta gaya.dono ek dusre ke bina ek pahar bhi nahi rah pate the.vo ped unn dono ke prem milan ki yaadgar ban chuka tha.

Tabhi unn dino tabhka koyilee me bhisan badh ka prakop ho gaya.kayi gaon iss badh ki chapet me aa gaye..kayi logo ki jaan gayi.adirishi uss mahatma ki baat ko bhul kar sab ki madad karne me lag gaya.kya raat kya din vo kayi kayi din tak bhukha rah kar bhi logo ko bachane ke kaam me juta raha.rajnandini aur uske dosto ne bhi uska isme sath diya..unhi dino nangu ki maa ka bhi dehant ho gaya.

Uss mahatma dwara apna shisya banne ke liye adirishi ko di gayi ek maah ki avadhi baadh pidit logo ki madad karne me hi samapt ho gayi.

Ab aage..

Uss mahatma ki di gayi avadhi samapt hone ke baad bhi main ghayal aur bimar logo ki madad karne me hi raat din laga raha.

Iss kaam me bahut samay nikal gaya..tabhi ek din kuch bimar logo ki madad kar ke ghar lout raha tha to kayi din se khana na khane se kamjori aur thakawat ke karan main raste me gir kar behosh ho gaya.

Mujhe jab hosh aaya to maine khud ko kisi ashram me leta hua paya.ye dekh kar main soch me pad gaya ki yaha koun laya mujhe.?

"Ab kaisi tabiyat hai vats." Kisi ne mujhe hosh me aate dekh kar kaha.

Maine chounk kar awaz ki disha me gardan ghuma ke dekha to ye dekh kar hairan rah gaya ki mere samne vahi mahatma khade huye the.

Adirishi (hairan ho kar)-pranam mahatma ji..!

Mahatma-ab kaisi tabiyat hai tumhari putra.... ?

Adirishi (idhar udhar dekhte huye)-main to theek hu...lekin mujhe hua kya tha aur main yaha kaise aaya.... ? jaha tak mujhe yaad hai, main to apne ghar ja raha tha.

Mahatma-tum mujhe yaha ashram me aate samay raste me behosh mile the..tab kuch logo ki madad se main tumhe yaha le aaya.

Adirishi-apka koti koti dhanyawad mahatma ji..aur main aap se kshama chahta hu ki main apko nirdharit avadhi me koi bhi anmol cheez bhent nahi kar saka...shayad apka shisya banne ka saubhagya meri kismat me hi nahi likha tha.

Mahatma-parantu mujhe to anmol uphar tumse mil chuka hai, vats...main tumhe apna shisya banane ke liye saharsh taiyar hu..tum jaisa shisya banane aur tumhe shiksha dene me mujhe bhi khushi hogi.

Adirishi (shocked)-Lekin mahatma ji ..maine aap ko abhi tak koi anmol uphar diya hi nahi.? Phir aa ne ye kyo kaha ki uphar aap ko mil chuka hai..? Jabki main pichle ek mahine se bhari barish se huye tabah logo ki madad karne me hi laga raha..apka uphar dhoondne ka mujhe samay hi nahi mil paya.

Mahatma (mushkura kar)-Putra tumhe kya laga tha ki uphar me maine tumhe koi heere, moti, mani, manikya jaisi koi cheez bhent karne ko kaha hai.! Nahi putra, ye sab to mere liye kankad aur patthar ke saman hain, inko le kar main kya karunga.? Jo tumne pichle ek mahine me kiya, pidit logo ki nihswarth bhavna se unki har sambhav bina kuch khaye piye unn sab ki madad ki..raat ko raat aur din ko din nahi samjha, bas sab kuch bhul kar kewal jan kalyan me hi lage rahe..vastav me vahi mera uphar hai..

Adirishi (shocked)-main kuch samjha nahi mahatma ji.?

Mahatma-vats, maine tumhe kaha tha ki mujhe koi aisa anmol uphar chahiye jo kisi ke bhi paas na ho..to tum hi vichar karo..kya ye heere, jawaharat..ye dhan daulat aur kisi ke paas nahi ho sakti.? Ye anmol kaise ho sakti hai. jabki sach baat to ye hai ki ratn aur abhusan to teen hi hote hain lekin murkh log heere, jawahrat, sona, chandi ko abhusan samajhte hain.

पृथिव्यां त्रीणि रत्नानि जलमन्नं सुभाषितम् ।
मूढैः पाषाणखण्डेषु रत्नसंज्ञा विधीयते ॥

Vastav me jal, anaaj aur madhur vani ke atirikta koi ratn nahi hai..ek hi uphar aisa hai jo har kisi ke paas alag alag hota hai, aur vah hai uska karm..tumhara ye nihswarth bhav se kiya gaya karm hi mere liye sabse anmol bhent hai, jo ki mujhe ab mil chuka hai.

Adirishi (khush ho kar)-sach mahatma ji..! iska matlab ab main apka shisya ban sakta hu na.?

Mahatma-avashya putra..ab se tum mere shisya ho..main tumhe har tarah ke loukik aur aloukik gyan se paripurn karunga..sath me tumhe ashtra shstra vidhya me nipun banaunga jisse ki tum aane wale samay me adharmi aur papiyo ka nash kar ke unke krur atyachar se asahay logo ki madad kar sako.kintu putra main tumhe shiksha dena shuru karu usse pahle iss samay tumhara ek behad jaruri kartavya tumhari pratiksha kar raha hai.

Adirishi-kaisa kartavya.mahatma ji.nahi nahi.mahatma ji nahi balki aaj se gurudev.?

Mahatma-vats, ek dukhad samachar hai...yaha se kafi doori par ek nirjan van hai..jaha sadhna karte huye tumhare pita ki mrityu ho chuki hai ya ye samajh lo ki iss dauran unki nirmam hatya kar di gayi hai.

Adirishi (shocked)-kyaaaaa..? Nahii.ye nahi ho sakta.

Unn mahatma ki mukh se apne pita ji ki mrityu ka samachar pate hi main dukh ke athah sagar me doobne laga. meri ankho se anshuo ki ladiya bahne lagi.

Mahatma-vats, ye samay dukhi ho kar anshu bahane ka nahi balki tumhe apne pita ke parthiv sharir ki anteshti karne ka hai, isse pahle ki koi jungli janwar unke mrit sharir ko kshat vikshat kar de..tumhe apna ye putra dharma nibhana hoga.utho vats

Adirishi-Jaisi apki agya gurudev

Main ashru purit palko ke sath apne gaon aa gaya aur apne dosto ko sath le kar gurudev ki bataye gaye sthan ki oor chal diya..ye khabar aag ki tarah poore gaon me phail gayi..

Rajnandini bhi iss khabar ko sunn kar khud ko iss gamgin ghadi me mere paas aane se nahi rok saki.uske pita samet gaon ke kayi log bhi hamare sath chal diye.. vaha pahuchte hi mujhe bahut bada dhakka laga jab maine apne pita ke sharir ko kayi tukdo me idhar udhar pada hua dekha.

Hum sabhi dosto ki ankhe iss samay nam thi..maine apne dosto aur gaon walo ki madad se vahi pita ji ka antim sanskar kiya.pahle maa aur ab pita ji ke jane se main bilkul toot chuka tha..kintu rajnandini ke pyar aur apne dosto ki dosti ke ne mujhe jivit rahne par vivash kar diya tha.

Kintu mere mann me ashanti hi ashanti thi..Rajnandini aur apne dosto ke samjhane par main gurudev ke paas chala gaya apni bheegi palko ke sath.

Mahatma (gurudev)-aao vats.

Adirishi-pranam gurudev

Gurudev-kalyan ho putra

Adirishi (rote huye)-ab mera iss sansar me koi nahi raha gurudev.main ab bilkul akela aur anath ho gaya hu.. mera mann ashant ho chuka hai poori tarah se..

Gurudev-vats, agar ye sukh dukh ke mayajal se apne apko alag kar ke dekhoge to sari srasti hi tumhe apni lageggi.

Adirishi-gurudev, mere pita ki hatya kisne aur kyon ki.? Unki to kisi se dushmani bhi nahi thi.

Gurudev-shaitan azgar ne tumhare pita ki hatya ki hai....vo sabhi loko me andhkar aur paap ka samrajya sthapit karna chahta hai...jab usne tumhare pita ko kisi aur ki sadhna karte huye dekha to usne unki hatya kar di...aur isme uska sath diya kilwish ne.....

Adirishi (rote huye)-uss papi ko kya haq tha aisa karne ka... ? usne akaran hi mere pita ko maar dala...mujhe anath kar diya..

Gurudev-vats, jeevan maran to satat prakriya hai.maine tumhe smjhaya tha ki jiska janam hua hai ek din uski mrityu hona bhi nishchit hai.phir shok kaisa putra..

Iss Sharir Mein Suno Adirishi Ek Sukshma Sharir Samaye Re,
Jyoti Roop Vahi Sukshma Sharir To Jeevatma Kahlaye Re,
Mrityu Samay Jab Yah Jeevatma Tann Ko Chhod Kar Jaye Re,
Dhan Daulat Aur Sage Sambandhi Koi Sang Na Aaye Re,
Paap Punya Sanskar Vrittiya Aise Sang Le Jaye Re,
Jaise Phool Se Uski Khushbu Pawan Uda Le Jaye Re,
Sang Chale Karmo Ka Lekha Jaise Karm Kamaye Re,
Agle Janam Mein Pichle Janam Ka Aap Hisab Chukaye Re.

Gurudev ka aise bar bar samjhane se mere mann ke andar chhaye dukh ke badal dhire dhire kam hote gaye aur jab maine khud ko kuch sanyamit samjha to unse shiksha aarambh karne ke liye kaha.

Gurudev-vats, sabse pahle tumhe dhyan lagana sikhna hoga..kyon ki shastra gyan ashtra shastra ka gyan to main tumhe de dunga kintu kuch aloukik shaktiyo ko grahan kar unhe aatmsaat karne ke liye dhyan ki avashyakta hoti hai.

Adirishi-dhyan kaise lagate hain gurudev..? Kya dhyan lagane ka koi saral tarika hai..?

Gurudev-haan, ek aasaan tarika hai kintu vo koi vidhi nahi hai balki ek kala hai.ek yougik kala..jisse dhyan lagane me badi sahayta milti hai.

Adirishi-vo asaan tarika, vo yougik kala kya hai gurudev..?

Gurudev-vats, sansar ke jhamelo se bachne ke liye ekant me baith kar mann ko dhyan me lagana chahiye. kyon ki ekant me manav apne bhitar jhank sakta hai.

Adirishi-parantu dhyan lagane ke liye apne antar me jhankne ki kya avashyakta hai..?

Gurudev-putra, shayad tum bhul rahe ho ki parmatma ka ansh arthat aatma manav ke bhitar hi vaas karti hai.issi aatma se sampark hi usse milne ka pahla charan hai.isliye dhyan lagane ke liye sabse pahle apne antar me hi jhankna chahiye aur ye tabhi sambhav ho sakta hai jab manusya ka apna sharir uske niyantran me ho.yadi uska sharir hi kabu me na ho to usko dhyan lagane ka uddeshya nahi mil payega.

Adirishi-aur dhyan lagane ka antim uddeshya kya hai.?

Gurudev-dhyan ka uddeshya uss shakti se sampark karna hota hai.parantu iske pratham charan me manav ko aatma shuddhi prapt hoti hai aur dhyan lagane wale ka antar mann nirmal ho jata hai.

Adirishi-dhyan kaise lagaye.?

Gurudev-dhyan lagate samay achal baith kar apni pth, sir aur gale ko saman aur sidha rakhna chahiye aur apni dristi ko apni naak ke agle bhag par iss tarah jamaye rakhe ki dusri sari dishaye ankho se ojhal ho jaye.aisa karne se apne aas paas ke vatavaran se uski indriyo ka sampark toot jayega aur manushya apne antar me mann laga sakega.

Gurudev ne mujhe kuch din tak dhyan lagana sikhaya aur jab main usme saksham ho gaya to unhone mujhe baki shiksha dena shuru kar di.kayi tarah ke ashtra shastra aur kuch aloukik shaktiyo ka gyan diya.

Gurudev-putra inn shaktiyo ka upyog hamesha jan kalyan me hi karna.kisi nirdosh prani par inka prahar mat karna.yahi meri guru dakshina hogi.

Adirishi-aisa hi hoga gurudev.

Jis samay main gurudev se shiksha grahan karne me laga hua tha uss samay meri aur rajnandini ki mulaqat hona band ho gayi thi....rajnandini ka mann kahi nahi lag raha tha, vo mujhse milne ke liye aatur ho rahi thi...usne meri shiksha me rukawat paida karne ki jagah khud ko mata mahakali ki ek pratima bana kar jab ghar ke sab log so jate to vah chupke se nikal jati aur poori raat unki aradhna karti rahti.

Ussi samay azgar jo ki har jagah ja ja kar logo ka katle aam karta phir raha tha....vaha se gujarte huye achanak uski nazar rajnandini par pad gayi aur phir....
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 106[/color]


Jis samay main gurudev se shiksha grahan karne me laga hua tha uss samay meri aur rajnandini ki mulaqat hona band ho gayi thi....rajnandini ka mann kahi nahi lag raha tha, vo mujhse milne ke liye aatur ho rahi thi...usne meri shiksha me rukawat paida karne ki jagah khud ko mata mahakali ki ek pratima bana kar jab ghar ke sab log so jate to vah chupke se nikal jati aur poori raat unki aradhna karti rahti.

Ussi samay azgar jo ki har jagah ja ja kar logo ka katle aam karta phir raha tha....vaha se gujarte huye achanak uski nazar rajnandini par pad gayi aur phir....

Ab aage......

Rajnandini par nazar padte hi azgar ke kadam jaha the vahi tham se gaye aur ankho ne palak jhapakna chhod diya.. us samay rajnandini ankhe band kiye mata mahakali ke dhyan me poori tarah se leen thi....uske mukh mandal ki chamak ne azgar ko sammohit sa kar liya.

Azgar uski khubsurti ko dekh dekh kar kamashakt hone laga....rajnandini ki adbhut sundar aur madak youvan ke teer ne azgar ko ghayal kar diya...azgar ki ye dasha dekh kar senapati aur uske vampire sainik bhi chakra gaye... halanki unki halat bhi rajnandini ke youvan darshan karne ke uparant azgar se alag nahi thi.

Senapati-malik agar aap kahe to iss loundiya ko bhi pakad le chalte hain..iske youvan ka ras pahle aap chakh lena phir hum log bhi masal lenge.

Ye sunte hi azgar ki ankho me khoon utar aaya...kintu uski ankhe lal hone ki jagah poori kali ho gayi...ye dekh kar uske sainik aur senapati darr ke maare thar thar kampne lage...abhi senapati apni safayi me kuch kahne hi ja raha tha ki azgar ne uski gardan daboch li aur phir ek jhatke me hi uske jism se ukhad phenki.

Azgar (gusse me)-teri himmat bhi kaise huyi uss ladki ke bare me aisa sochne ki...vo aaj se sirf azgar ki hai...vo tum sab ki malkin banegi.....iss azgar ke dil ki rani banegi vo.

Azgar vaha se sidhe rajnandini ke paas badh gaya...aur uske karib pahuch kar uski khubsurti ko niharne laga...aur uske dhyan se bahar aane ka intazar karne laga...akhir rajnandini ki ankhe khuli aur murti ko pranam karne ke baad jaise hi uth kar khadi huyi to palate hi samne khade bhayanak shakal surat wale daitya ko dekh kar darr gayi.

Rajnandini (darte huye)-kkkk.....koun ho tum.... ?

Azgar (mushkurate huye)-aahhh....kitni madhur awaz hai....shukra hai ki tumne ankhe to kholi apni.

Rajnandini (thoda jor se)-maine pucha....koun ho tum..... ?

Azgar-tumhare husn ka gulam.....wah, kya chehra hai...kya kajrari ankhe hain....aur kya mast youvan hai...tujhe bhogne me asli maza ayega....tu ek bar nahi balki bar bar bhogne ki cheez hai....tujhe dekhte hi meri kaam vasna bhadak gayi hai, jise ab kewal tera ye madmast youvan bhogne ke pashchat hi shanti milegi....tujhe to main apni rani banaunga.

Rajnandini (gusse me)-sale harami kutte.....dekh tu jo bhi hai, chal bhag yaha se..warna...

Azgar (beech me hi)-haaye...haaye...tujhe to gussa bhi aata hai....aana bhi chahiye...azgar shaitan ki dilruba ko gussa aana hi chahiye.....vaise kya naam hai tera malika-e-shaitan azgar... ?

Shaitan azgar ka naam sunte hi rajnandini ka josh thanda padne laga....kyon ki azgar apni kali kartuto se ab tak sab jagah vikhyat ho chuka tha.

Rajnandini-dekh main ab bhi tujhe bol rahi hu...mere rasta chhod de...warna tere liye ye achcha nahi hoga.

Azgar-dekh meri baat manegi to raj karegi poori duniya par iss azgar ki rani ban ke....aur nahi manegi tab bhi main to teri iss jawani ko bhogunga hi....ab chal jaldi yaha se mere sath..

Rajnandini (gusse me)-tadaakkkkk....sale kutte ki aulad

Azgar (gusse me)-tune mujhe thappad mara.....azgar shaitan ko... ? ab dekh main tera kya haal karta hu...

Azgar usko pakadne ke liye jaise hi hath aage kiya to rajnandini piche hat gayi...magar kab tak usse bach pati, akhir azgar ne usko pakad hi liya aur jabardasti karne ki koshish karne laga.

Rajnandini (chillate huye)-chhod kamine.....aaaaahh.....maa mahakali meri izzat ki raksha karo maa...

Azgar-hahahaha.....kise pukar rahi hai...iss bejan murti ko.... ? azgar ka naam sunte hi sab apne gharo me ghus jate hain, darr ki vajah se...tujhe bachane koi nahi ayega..ab bhi kahta hu meri baat maan le..warna bahut pachhtayegi.

Rajnandini (gusse me)-kabhi nahi..rajnandini sirf adirishi ki hai aur har janam me uski hi rahegi....aaahhh.maa

Rajnandini apne bachav me hath pair marne lagi aur madad ke liye kabhi rishi ko to kabhi maa mahakali ko pukarne lagi rote huye jor jor se.tabhi mata mahakali ki mitti ki vo murti hilne lagi aur phir.

"Azgarrr....Chhod de uss ladki ko." Tabhi kisi aurat ki tez awaz sabhi ke kano me goonj uthi.

Sabne palat ke dekha to kuch hi doori par ek budhiya khadi hi lathi liye huye....aur uski ankhe ek dam kroadh se lal ho kar tamtama rahi thi.

Ek sainik-ye budhiya chal bhag yaha se...

Azgar-arey bhagata kya hai...maar de sidhe aur kha jao iss budhiya ko bhi.

Azgar ki baat sunte hi ek sainik uski taraf dauda marne ko...lekin uske paas pahuchne se pahle hi uske jism ko aag ne gher liya aur vo cheekhte huye jal kar raakh ka dher ban gaya

Ye dekh kayi sainik uss aurat ki oor lapke lekin sab ka vahi haal hua....aur agle hi pal uss aurat ne aage badh ke azgar ke pichwade par ek laat mari to azgar dard se cheekhte huye na jane kitni koso door aur kaha ja gira.

Aurat-utho beti...ab vo dust philhal yaha se chala gaya hai...tumhe ab ghabrane ki koi jarurat nahi hai.

Rajnandini (sisakte huye)-maayi aap iss samay sakshat maa mahakali ka roop ban kar meri madad karne aayi hain.. agar aaj aap nahi aati to main apne rishi ko muh dikhane ke kabil nahi rahti.

Aurat-tumhara prem hi to uski sabse badi taqat hai....jaise ravan ke vinash ka karan sita bani to kaurav ke vinash ka karan droupdi....theek ussi tarah bhavishya me tum hi inn papiyo ke vinash ka pramukh karan banogi beti...

Rajnandini (hairan)-main kuch samjhi nahi maayi... !

Aurat-har ghatna ka ek samay nirdharit hota hai beti.....isliye samay aane par sab pata chal jayega.

Rajnandini-aap koun hain aur iss samay yaha kis prayojan se aayi thi.. ? maine apko pahle to kabhi nahi dekha iss gaon me..

Aurat (mushkura kar)-Yahi sawal to main bhi tumse janna chahti hu ki iss andheri raat me ek jawan ladki yaha kya rahi thi.?

Rajnandini-main to yaha maa mahakali ki aradhana karne aati hu prati din iss samay.aaj bhi vahi kar rahi thi ki pata nahi ye dust kaha se aa tapka.?

Aurat-beti ye raat ka samay ghar se bahar nikalne ke liye theek nahi hai.tum ab se yaha mat aaya karo iss samay.

Rajnandini-main maa ki aradhna karna nahi chhod sakti maayi.main vivash hu.

Aurat-aradhna tum apne ghar me bhi kar sakti ho raat me..aradhana karne ke liye murti ka hona avashyak nahi hai.bas kewal mann me sachchi shraddha honi chahiye beti.

Rajnandini-main samajh gayi maayi.

Aurat-aur haan beti....mere paas kuch shaktiya hain jo main tumhe dena chahti hu...meri to ab umra ho chuki hai.

Rajnandini-lekin aap mujhe kyo dena chahti hain..? Aur aap ne apna parichay bhi nahi diya ab tak.

Aurat-tumhara hriday swarth rahit aur nishchhal prem se bhara hua hai...isliye tumhe dena chahti hu...aur rahi baat mere parichay ki to jab uchit samay ayega to khud hi tum mujhe pahchan jaogi....chalo ab baith jao.

Rajnandini ke baith kar ankhe band karte hi uss aurat ne apna ek hath uske sir par rakh diya aur agle hi pal unke hath se tez roshni nikal kar rajnandini ke jism me samane lagi.

Kuch samay pashchat uss aurat ne rajnandini ko ankhe kholne ko kaha ....ankhe kholte hi rajnandini ko apne sharir me kafi taqat hone ka ehsaas hone laga.

Rajnandini-lekin maayi...main inn shaktiyo ka istemal karungi kaise.... ?

Aurat-jab tum dhyan lagaogi to tumhe inke vishay me pata chal jayega..ab tum ghar jao beti

Rajnandini-theek hai maayi

Rajnandini ne uss aurat ke pair chhu kar ashirwad liya aur apne ghar ki oor mud gayi.kuch kadam chalne ke baad usne piche palat ke dekha to chounk gayi..kyon ki ab vaha koi aurat nahi thi.

Rajnandini (shocked)-itna jaldi vo maayi kaha gayab ho gayi.?

Phir vo yahi sochte huye ghar chali gayi....dusri taraf main gurudev ki agya le kar apne ghar lout aaya..aur dusre din rajnandini se milne pahuch gaya subah subah..mujhe dekh kar vo bahut khush huyi aur mujhse daud kar lipat gayi.

Dophar me jab hum apne chir parichit ekant sthan par mile to dono ne apne apne vishay me bataya.maine kya kya sikha aur usne kya kya kiya iss dauran sab kuch bataya.raat wali ghatna bhi batayi jise sun kar main bhi chounk gaya.

Rajnandini-rishi.vo aurat kaha gayi hogi itni raat me bechari.?

Adirishi (mushkura kar)-unhe kahi jane ki kya jarurat hai...vo to har jagah hain....nandini, shayad mata mahakali ne hi uss aurat ka roop dhar ke tumhari madad ki hai..tum sachmuch bahut bhagyashalini ho jo tumhe swayam mata ne prakat ho kar ashirwad diya.

Rajnandini (shocked)-kyaaaaa.... ? vo khud maa thi... ?

Vo mata ko na pahchan pane ka dukh jatati rahi aur main samjhata raha....kuch din uske sath gujarne ke baad main apne ussi khandani prashn ke uttar ki talash me nikal gaya.

Chalte huye achanak mere kano me kuch logo ke jor jor se cheekhne ki awaz sunayi padi..awaz sunyi padte hi main uss disha me badhta gaya aur jaise hi vaha pahucha to samne ka drishya dekh kar mera kroadh satve aas maan par pahuch gaya.
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 107[/color]


Vo mata ko na pahchan pane ka dukh jatati rahi aur main samjhata raha....kuch din uske sath gujarne ke baad main apne ussi khandani prashn ke uttar ki talash me nikal gaya.

Chalte huye achanak mere kano me kuch logo ke jor jor se cheekhne ki awaz sunayi padi..awaz sunyi padte hi main uss disha me badhta gaya aur jaise hi vaha pahucha to samne ka drishya dekh kar mera kroadh satve aas maan par pahuch gaya.

Ab aage...

Vaha kayi vampires aur bhediya manav, kuch logo ko maar maar kar kha rahe the.to kuch log sundar sundar ladkiyo se jabardasti sambhog karne ki koshish kar rahe the...vo sabhi unse bachne ke liye jor jor se dard me cheekh aur chilla kar madad ke liye pukar rahi thi.Ye drishya dekh kar mera gussa mere kabu se bahar ho gaya.

Adirishi (dahadte huye)-rukkkk jaooooo..

Meri awaz vaha ki vadiyo me prati dwanit ho kar goonjne lagi.sab chounk kar meri taraf dekhne lage.mujhe dekh kar unn logo ko asha ki ek kiran dikhayi dene lagi.

Ek vampire-hahaha...tu manav yaha kaise aa gaya re...

2nd vampire-hahaha.....ab ye inn sab ko hamse bachayegaaaa....hahahaha

3rd vampire-ye to khud hi hamara bhojan ban ke aaya hai...haahahahahah

Vo sab-hahahahahaha

Adirishi (gusse me)-tadaakkkk...taddaaakkkk..tadaakkkk..badatamiz log mujhe bilkul pasand nahi hain.

Ek bhediya manav-ye.kyaa bola re tuuu...aaaaaaaaaaaaaaaaaa

Adirishi (gusse me)-mujhe ek hi baat ko dubara bolne ki aadat nahi hai

2nd bhediya manav-teri ye himmat ki hame chunouti de...pahle tujhe hi khaunga main ab..aaaaaaaaaaaaa

Adirishi (jor se)-ankh se andha aur kaan se bahra hai kya..? Itni der se kuch suna aur dekha nahi tune....ki tere sathiyo ka kya hua aur kya kaha maine.... ?

Ab ki baar kayi vampires aur bhediya manav ek sath mere upar aag ke gole phenkne lage...vo sab meri pani ki shakti se bujh kar thande ho gaye.....isse pahle ki vo aur kuch prahar karte, maine aag ki shakti ka prayog kar unhe raakh ka dher bana diya....unke dard me cheekhne ki awaz se sab ke kaan ke parde fatne lage aur phir kuch der baad sab kuch shant ho gaya.

Adirishi-aap sab koun hain...aur ye log aap logo par atyachar kyo kar rahe the.... ?

Ek ladki-hum sab jinn aur pariya hain...baki aur bhi kayi log yaha rahte hain....ye sab kilwish ke sainik the....jo har roj kisi na kisi pari ko apni hawash ka shikar banate rahte hain....vo sab hamse sambhog kar ke apni hi tarah ki santan paida karna chahte hain....hamara jeevan to nark se bhi badtar ho chuka hai.

Adirishi-kyo tum logo ka koi ghar nahi hai kya, jo aise pahad ki gufao me rahte ho.... ?

2nd pari-hamara koi ghar nahi hai...kabhi yaha to kabhi vaha bhatakna hi hamara jeevan hai.

Adirishi-ab se aisa nahi hoga....tumhara bhi apna ek lok hoga.

Ek jinn-ye kaise sambhav hoga.... ? koun banayega hamare liye lok.?

Adirishi-main banaunga tum sab ke lok....aur iske liye mujhe tridev aur maa aadi shakti ki aradhna kar ke unki kripa prapt karni hogi...unki kripa ke bina ye karya asambhav hai.

3rd pari-isme to bahut samay lagega...tab tak to ye hawash ke bhediye hame noch noch ke kha jayenge..

Adirishi-aisa kuch bhi nahi hoga..tum sab apne andar ki shaktiyo ko pahchano..philhal main iss jagah ko suraksha kawach se baandh deta hu..koi bhi iss kawach ko bhed kar andar nahi aa sakta..tab tak main apna kaam bhi poora kar lunga.

1st pari-kya hum apne iss masiha ka naam jaan sakte hain..?

Adirishi-main koi masiha nahi hu.main to upar wale ki banayi huyi srasti ka matra ek manav hu.mera naam adirishi hai.

2nd pari-aaj se aap hi hamare raja hain aur aap hi hamare malik.

Sab-haan..haan...aap hi hum sab ke raja hai.

Tabhi ek vriddh pari ne aa kar mere pair pakad kar rone lagi....maine usko uthaya aur uske bahte huye anshuo ko pocha...aur phir uske dukh ka karan pucha.

Vriddh pari (rote huye)-meri putri ko vo dust kilwish utha le gaya hai....meri beti ko bacha lo.

Adirishi-aap chinta mat kijiye...main abhi kuch upay karta hu apki beti ko bachane ka.

Maine apni ankhe band kar ke dhyan lagaya to mujhe uski ladki ka pata chal gaya....main turant hi vaha se adrishya ho gaya aur jaha vo dust uss ladki ke sath jabardasti karne ka prayas kar raha tha, sidhe vaha pahuch kar visible ho gaya.

Vo ladki jor jor se ro ro kar uss dust kilwish se raham ki bheekh maang rahi thi...uske hath pair rassi jaisi kisi cheez se bandhe huye the....maine kilwish ko pakad kar uthaya aur door patak diya....lekin vo turant gusse se uth kar khada ho gaya aur kha jane wali nazaro se mujhe dekhne laga....uske sainik mujhe maarne ke liye daude par usne unn sab ko hath ke ishare se vahi rok diya.

Kilwish (jor se)-sab vahi ruk jaoo....isne mujhse takrane ki jurrat ki hai...isko saza bhi main hi dunga ab....Andhera kayam rahe...

Kilwish (gusse me)-tu koun hai aur teri yaha aane ki himmat kaise huyi.... ? kya tujhe ye malum nahi ki ye andhere ke samrat Tamraj Kilwish ka kshetra hai.... ?

Adirishi (jor se)-Ilaka to kutto ka hota hai.....sher jis jungle me chala jaye, ussi jungle ka raja ban jata hai...aur andhera hamesha kabhi kayam nahi rahta...andhere ke baad ujala bhi hota hai.

Kilwish (jor se)-tuuu haiii kounnn.... ?

Adirishi (sher ki tarah dahadte huye)-Adirishiiii

Kilwish (gusse me)-to le ab marr...

Usne turant mere upar aag ki barish karni shuru kar di.main pani ki shakti ka prayog kar uska vaar bekar kar diya.. apna vaar nisphal hote dekh vo aur bhi gussa ho gaya aur iss bar usne pani ki shakti ka hi prayog mere upar kar diya jise maine hawa ka bawandar bana ke uda diya.usne mere upar saanp chhod diye.jinhe maine aag ki shakti se jala diya...agli bar usne mere upar burf ke gole feke lekin unko main aag ki shakti se hi pighla diya.

Apna har vaar bekar jate dekh usne apne sainiko ko mujhe maarne ko kaha.vo sab hamla karne ke liye ek sath daud pade..unn sab ko main hawa ki shakti se uda diya.

Kilwish (gusse me)-adirishiii.tune kilwish se dushmani le kar theek nahi kiya...ye pari ab kewal kilwish ki rani banegi..abhi to main ja raha hu lekin bahut jald teri mout ka saman le kar aunga...mere agle vaar ka intazar karna

Phir vo vaha se gayab ho gaya.uske jate hi maine uss ladki ki rassiya kholi aur usko pakad ke khada liya.ab maine pahli bar uski taraf dhyan diya to dekhta hi rah gaya..gajab ki sundarta samayi thi usme.koi bhi ek nazar uske roop youvan ko dekh le to kaamaandh ho jaye.phir kilwish uske moh pash me fas gaya to kya ashcharya.?

Adirishi-kya naam hai tumhara..?

Vo pari-ji Sonalika

Main usko le kar uski mata ke paas aa gaya....lekin vo ek tak mujhe hi dekhe ja rahi thi....maine ek do bar uski taraf na chahte huye bhi dekh leta tha karan tha, uska abhutpurva soundarya...halanki rajnandini se koi muqabla nahi tha..rajnandini ke roop soundarya aur sonalika ke soundarya me dharti aas maan ka antar tha.par phir bhi sonalika thi to khubsurat hi, isliye meri nazare bhi usko dekhne ki khatir fisal ja rahi thi.yahi haal shayad uska bhi tha.

Main unn sabse milne ke baad vaha se chala gaya..aur ek sunsan jagah dekh kar tridev ki aradhna karne laga.. mujhe pata nahi kitne din tak main unke dhyan me leen raha..akhir ek din meri tapasya safal huyi..teeno ne mujhe iss karya ke liye apne ashirwad swaroop kuch shaktiya pradan ki..phir main maa bhavani ki aradhna kar ke unka ashirwad bhi prapt kiya.

Tatpashchat maine unn shaktiyo ki madad se jinn lok, pari lok sahit saat states (loko) ka nirman kiya.saato loko ki shaktiyo se ek adbhut singhasan aur ek raj mukut ka nirman hua..chunki ye meri hi shaktiyo se bane loko ki ekatrit shakti se uttapann huye the, isliye sirf mera hi aadhipatya swikar karte the.

Sabhi ko apna apna alag lok milne par behad khushi thi...unn sabne mujhe hi tann mann se apna raja maan liya tha.isliye maine bhi unki baat ka niradar nahi kiya...iss dauran sonalika ne apne prem ka izhar mujhse kar diya lekin maine ye kah kar mana kar diya ki main kisi aur se prem karta hu aur main usko dhokha nahi de sakta.

Rajyabhishek ka karya kram maine rajnandini ke sath shadi karne ke din hi hona nishchit kiya, jisse vo bhi mere sath sath saato lok ki maharani ban sake.

Main ye khush khabri dene ke liye tabhka koyilee lout aaya..aur sidhe rajnandini se milne chala gaya.lekin vaha pahuchne par..
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 108[/color]

Sabhi ko apna apna alag lok milne par behad khushi thi...unn sabne mujhe hi tann mann se apna raja maan liya tha.isliye maine bhi unki baat ka niradar nahi kiya...iss dauran sonalika ne apne prem ka izhar mujhse kar diya lekin maine ye kah kar mana kar diya ki main kisi aur se prem karta hu aur main usko dhokha nahi de sakta.

Rajyabhishek ka karya kram maine rajnandini ke sath shadi karne ke din hi hona nishchit kiya, jisse vo bhi mere sath sath saato lok ki maharani ban sake.

Main ye khush khabri dene ke liye tabhka koyilee lout aaya..aur sidhe rajnandini se milne chala gaya.lekin vaha pahuchne par..

Ab aage..

Jab main vaha pahucha to gaon ka poora naksha hi badla hua tha..ek bhi admi mujhe gaon me dikhayi nahi de raha tha.khair main inn sab baato ko dar kinar karte huye rajnandini ke ghar pahuch gaya.

Main kafi der tak darwaja khat khatata raha.badi mushkil se mere jor jor se chillane ke baad rajnandini ne darwaja khola aur mujhe dekhte hi jor se chipak gayi.

Adirishi (shocked)-kya hua nandini.tum itni pareshan kyo lag rahi ho..?

Rajnandini-Pata nahi rishi..kuch din se gaon me badi ajib ajib tarah ki ghatnaye ho rahi hain..kisi pishach ka saya hai gaon me.aisa sab kahte hain, jo logo ka khoon pi raha hai..kuch hi din me aadhe se jyada gaon wale mare ja chuke hain.isliye darr ke karan koi ghar se bahar hi nahi nikalta ab.

Adirishi-Jarur ye azgar ka hi kiya dhara hoga sab..

Rajnandini-mujhe bhi yahi lagta hai..

Adirishi-tum ek kaam karo.....jis murti ki tum puja karti thi....usko apne ghar me le aao....jis jagah bhagwati ki murti hoti hai vaha koi buri shakti pravesh nahi kar sakti, chahe vo kitni bhi shaktishali kyo na ho.

Rajnandini-lekin uske liye to bahar jana padega.... ?

Tabhi vaha uske mata pita bhi aa gaye aur mujhe dekh kar bahut khush huye..maine rajnandini ke sath ja kar maa mahakali ki uss murti ko la kar rajnandini ke ghar me sthapit kar diya aur ghar ke charo oor ek tilism ka nirman kar diya..vo tilism aisa tha ki uska tod mere aur rajnandini ke siwa aur kisi ko bhi gyat nahi tha.

Adirishi-ab iss ghar ke andar rahne wale sabhi log surakshit hain..yaha koi bhi dust niyat wala pravesh nahi kar sakta aur na hi iss ghar ke andar rahne walo ka koi nuksan kar sakta hai.

Vidhyadhar-beta, meri umra ab uss mukam par aa chuki hai jaha zindagi ka deepak kab bujh jaye, koi bharosa nahi isliye main chahta hu ki ab tumhari amanat tumhe sounp du..main tumhari aur rajnandini ki shadi karna chahta hu..

Adirishi-Ji, aap log jaisa uchit samjhe..mujhe koi aitaraz nahi hai.

Phir maine sab ko saat loko ke nirman ki puri baat bata di jise sun kar rajnandini aur uske mata pita behad khush huye.

Shakuntla-iska matlab ab meri beti inn sab loko ki maharani banegi.

Adirishi-ji haan..aur main chahta hu ki aap sab bhi raj tilak me shamil ho.

Mere raja banne ki khabar poore gaon me phail gayi jaldi hi..aur ye kaam mere dosto ka hi kiya hua tha.vo apni khushi ko kisi se chhupa nahi paye.

Agle kuch dino me hi meri aur rajnandini ki shadi kar di gayi...lekin hum dono ne raj tilak ke baad pari lok me hi apni suhagrat manane ka faisla kiya.

Do teen din tak main unn sabhi gaon ka ghum phir kar jayza leta raha ki utpaat machane wala koun hai kintu iss dauran koi bhi apriya ghatna nahi huyi.

Main uske agle din rajnandini aur apne dosto ke sath sabhi nav-nirmit loko ki sair karne nikal gaya...sabhi jagah unn loko ke vsiyo ne apne maharaj aur maharani ke pratham aagman ka purjor swagat kiya.rajnandini ye sab dekh kar behad prashann thi.

Uske baad jab hum pari lok ja rahe the tab marg me meri mulaqat unn mahatma se huyi jo mere ab guru bhi ban chuke the..maine aur rajnandini ne unhe pranam kiya..unhone hum dono ko apna ashirwad pradan kiya.

Maine unse rajguru banne ka anurodh kiya kintu unhone isme apni asmarthata vyakt ki aur rajguru ke liye mujhe rishi ashtavakra ka naam sujhaya.

Unse agya le kar hum unke bataye sthan par gaye jaha ashtavakra apna ashram bana kar rahte the aur tapasya kiya karte the..maine unko pranam karne ke uparant apna aur bakiyo ka parichay diya sath hi ye bhi bataya ki mera unke paas aane ka kya prayojan hai.

Ashtavakra-vats tum jante ho ki vo mahatma koun hain..?

Adiirishi-ji nahi munivar

Ashtavakra-vo mahatma brahmarishi vishwamitra hain..jo vibhinn loko me tapasya me ghumte huye tapasya karte rahte hain..agar unhone prithvi lok se yaha aa kar tumhe shiksha di hai to iske piche avashya hi koi mahatvapurna daivik karan chhupa hua hai.

Rajnandini-kaisa karan munivar..?

Ashtavakra-Jan kalyan hi vo karan hai...iske nimitta hi unhone tumhe shaktiya pradan ki hain apna shisya bana kar...mujhe tumhara prastav swikar hai vats adirishi.

Uske baad rishi ashtavakra ko maine parilok ka rajguru bana diya.hum sab pari lok lout aaye.kuch din baad hi dhumsham se mera aur rajnandini ka maharaj aur maharani ke pad pad par rajyabhishek sampann ho gaya.

Magar iss utsav me bhi koi khush nahi tha to vo thi sonalika..shayad vo mujhe apna dil de baithi thi.jabki rajnandini ke chehre par ek ajib si khushi chamak rahi thi akhir aaj uski suhgrat jo thi.

Jab raat me main uske kamre me gaya to vo suhag sej par, lal surkh jode me baithi mera intazar kar rahi thi.main uske paas ja kar baith gaya to rajnandini ne laaz aur sharam se apna chehra mere sine me chhupa liya.maine bhi usko apni baho ke ghere ke kaste huye bistar par jhukata chala gaya aur rajnandini sej par bichhti chali gayi.

Pighalta raha chaand raat bhar, mere agosh me
Dhalti rahai raat raat bhar, mere agosh me
Thi meri dulhan raat bhar, mere agosh me
Jism me ek sarsarahat thi, na the hum dono hosh me

Mit gaye the har fasle, na rahi koi duriya
Hawa bhi na gujre kahi, hum dono ke darmiya
The dono jakde huye mohabbat ki zanjeer me
Likhi thi vo raat hasin si, hamari taqdir me

Chumte hi rahe hum lab ek duje ke
Aur khote hi gaye, hum ek duje ke agosh me
Na kuch hosh tha hame, na thi koi madhoshi
Raat bhar sunayi deti rahi siskiya
Aur shor karti rahi khamoshi..!

Soch rahe the dono ek duje ki baho me aa kar ruk jaye ye raat bas, issi pal ki agosh me
Na soye the hum dono uss raat
Kyon ki badi hasin thi vo hamari suhagrat..!

Agle din ka suraj uga to rajnandini ne need khulne par mujhe jagte huye paya aur phir khud ko meri baho me nagn halat me pa kar sharam ke maare dohri ho gayi.vo jaldi se apne kapde uthane ko jhapti ki maine usko khich kar phir se bahupash me jakad liya..ek baar phir se hum dono ek dusre me samate chale gaye.

Jab youvan ka ye toofan shant hua tab main usko utha kar snan ghar me le aaya aur ek dusre ko nahlate huye hamne ek bar punah sambhog sukh ka anand liya.

Aise hi hamare din gujarne lage.hamara pyar aur bhi majboot hota gaya..sonalika kafi dukhi rahne lagi thi..maine jab iska karan pucha tab usne rote huye sab kuch bata diya..maine ye baat rajnandini ko batayi.

Rajnandini ne sonalika se bhi mujhe shadi karne ka sujhav diya lekin main taiyar nahi tha kintu uski kasam ke aage mujhe jhukna pada aur phir maine sonalika ko apnane ke liye maan gaya.

Agle din hi maine sonalika ko bhi parilok ki rani bana diya..ab vo bhi bahut khush thi. main kabhi rajnandini ke sath to kabhi sonalika ke sath prem kida me lipt ho gaya..aise hi kuch din nikal gaye..

Ab mujhe rishi kakshivan ke uss prashna ka jawab talashne ki chinta hone lagi jiske karan mere vansh ki kayi pidhiya uska uttar khojte huye swargwasi ho chuki thi...

Ek din uss prashna ka uttar sochte sochte mujhe pata nahi kya sujha ki main samved ke ek shlok ko nirdharit sur me gana shuru kiya, iske sath hi mujhe uss prashna ka uttar bhi mil gaya.

Main turant hi parilok se adrishya ho kar sidhe rishi kakshivan ke ashram chala gaya.kakshivan mujhe dekhte hi jaan gaye ki aaj unhe unke prashna ka uttar mil jayega.

Unhone apne ek shisya ko bula kar unki chawal ke dano se bhari thaili fekwa di.rishi kakshivan ke samip pahuch kar maine unke prashna ka uttar diya.

Adirishi-pranam rishivar

Kakshivan-tumhara kalyan ho putra..kaho uttar mil gaya.

Adirishi-ji haan.
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 109[/color]


Ek din uss prashna ka uttar sochte sochte mujhe pata nahi kya sujha ki main samved ke ek shlok ko nirdharit sur me gana shuru kiya, iske sath hi mujhe uss prashna ka uttar bhi mil gaya.

Main turant hi parilok se adrishya ho kar sidhe rishi kakshivan ke ashram chala gaya.kakshivan mujhe dekhte hi jaan gaye ki aaj unhe unke prashna ka uttar mil jayega.

Unhone apne ek shisya ko bula kar unki chawal ke dano se bhari thaili fekwa di.rishi kakshivan ke samip pahuch kar maine unke prashna ka uttar diya.

Adirishi-pranam rishivar

Kakshivan-tumhara kalyan ho putra..kaho uttar mil gaya.

Adirishi-ji haan.

Ab aage...

Adirishi-Jo manushya kewal richa gata hai, saam nahi, vah uss gaayan uss agni ke samaan kahlata hai jisse prakash paida nahi hota..lekin jo rigved ke richa ke baad saamved ka saam bhi gata ho, uska gaayan uss agni jaisa hai jisse roshni bhi paida hoti hai.

(Rigved me likhit mantro ko richa kaha jata hai jabki saam ved me likhit mantro ko saam kahte hain.saam ved sangeet may ved hai..rigved padyatmak hai, yajurved gadyatmak, saamved geetatmak hai jabki atharva ved me rahasmayi vidhyao ka varnan hai..rigved, yajurved, saam ved aur atharva ved..inn char vedo ko hi sarvopari aur ati prachintam granth mana jata hai..dusra anya koi dharma granth nahi hai..iss shreni dharma grantho me vedo ke alawa kewal upnisad aur geeta ko hi dharma granth mana gaya hai jo ki vedo ka hi ansh hain.vedo me jo kuch bhi likha hai unhe eshwar vakya mana jata hai..jo ved me likha hai vahi satya hai.agar kisi bhi puran me likhi baat ya ghatna, ved sammat nahi hai to vo asatya hai..isliye anya koi bhi puran ya granth me likhi baat sahi hai ya kalpanik, iss satya ko janne ke liye vedo ka gyan hona avashyak hai)

Kakshivan-ati sundar.bahut sundar vyakhya ki hai tumne..vastav me yahi sahi uttar hai mere uss prashna ka. main tumhare uttar se poornatah santust hu, aaj tumne apne poorvajo ka kalank bhi mita diya hai..tum nishchit hi bahut buddhiman ho adirishi.

Adirishi-ji shukriya rishivar.

Kakshivan-vats main tumhe kuch dena chahta hu.shraddha purvak usko grahan karo.

Adirishi-apka adesh sar ankho par muni shreshtha.

Phir kakshivan ne apni ankhe band kar ke kuch samay dhyan magn ho gaye..dhyan me leen hote hi unke hath me ek atyant divya talwar aa gayi.unhone ankhe khol kar uss talwar ko pranam kiya.

Kakshivan-putra adirishi, ye koi mamuli talwar nahi hai.balki meri varsho ki sadhna ka parinam hai.ye talwar meri tapasya se prashann ho kar bhagwan shiv shankar ne ashirwad swaroop mujhe pradan kiya tha.unke ashirwad ke sath sath isme mere sampoorn tapobal ki shaktiya bhi isme nihit hain.isko grahan karo..ye talwar bhavishya me papiyo ka sanghar karte samay tumhare bahut kaam ayegi.

Adirishi-aapne mujhe kritarth kar diya rishivar.main dhanya ho gaya bhagwan shiv ka ye anmol uphar prapt kar ke.

Kakshivan-tum jab bhi iska dhyan karoge ye tumhare hatho me prakat ho jayegi aur phir karya samapt hote hi punah vilupt ho jayegi...main sirf iss prashna ke uttar ki abhilasha me hi ab tak jivit tha.ab mera vo uddeshya poorn hua..isliye main samadhi me leen ho kar ab apne iss nashwar sharir ka utsarg karunga.ab tum jao vats.

Adirishi-pranam rishivar

Kakshivan-tumhara kalyan ho putra.

Maine unse vo talwar le kar usko pranam kiya.kakshivan ne mujhe uss divya talwar ke vishay me kayi jaankariya dene ke uparant chir samadhi me leen ho gaye..unke samadhistha hote hi main unhe pranam kar ke vaha se vapis pari lok lout aaya.

Pari lok aur baki sabhi six lok me shanti ka vatavaran sthapit karne ke baad main har tarah se praja ka dhyan rakhne laga..jinn lok aur anya baki sabhi lok ki ek ek ladki se maine vivah kiya aur uss lok ka shasan main pari lok me rahte huye hi chalane laga.iss prakar kul saat lok ki ek ek ladki aur rajnandini ko milakar meri aath patniya ho chuki thi.

(Unn sabhi loko aur patniyo ka varnan yaha nahi kar raha hu warna isme 15 se 20 update lag jayenge.kintu inka varnan agle part me mil jayega)

Kilwish ne kayi bar pari lok par akraman karne ki koshish ki kintu vah mere dwara banaye gaye suraksha kawach ka bhedan karne me asafal raha.

Vastav me kilwish ko azgar ne hi paal posh kar bada kiya tha, isliye kilwish usko hi apna pita manta tha.azgar bhi kilwish ko apne dono putro akaal aur bakaal se adhik chahta tha, yahi vajah thi ki usne kilwish ko tamraj banaya tha. Kilwish, azgar ke hi samaan taqatwar aur shaitani shaktiyo ka malik tha.

Udhar jab se azgar, rajnandini ko hasil karne ke apne prayas me vifal hua tab se vo usko pane ke liye pagal sa ho gaya..usko ye rahasya bhi samajh me aa gaya ki iss gaon me jarur koi maha shaktishali shakti ka vaas hai jisne usko apne ek hi dhakke se itni door phenk diya aur iss gaon me hi usko maarne wala paida ho sakta hai. iss soch ke tahat usne agya de di ki jo koi bhi santan paida kare ya vivah kare, usko turant hi khatam kar diya jaye.

Azgar, apni taraf se har yatha sambhav koshish me lag gaya kisi bhi tarah se rajnandini ko hasil karne ke liye, kintu jab usko ye gyat hua ki uska vivah mere sath sampann ho chuka hai to usne rajnandini ke pita vidhya dhar ko maar diya..aur gaon ki ladkiyo aur aurto ko nagn kar ke unhe ghode ki jagah sawari ke liye istemal karne laga.unke nagn jism par kodo ki barish karte huye ghasita jata.

Azgar ne apne vampire sainiko ko sabhi loko par kabza kar ke vaha apne paap ka samrajya sthapit karne hetu bhej diya parantu unhe muh ki khani padi.apni parajay se vo baukhla gaya..iss bar jinn lok ko tabah karne ka jimma usne apne ek shaitan tantrik naravali ko diya.

Naravali ne kafi koshish ki lekin vo bhi jinn lok ko fatah karne me nakamyab raha..uske raste ki ek sabse badi badha daal nikaal gaon bhi tha jaha chitra ke dada ji ka shasan tha.

Chitra ji ke dada ji ke samadhi lete hi usne chhal se chitra ke poore pariwar ko apni tantrik shaktiyo ke bal par khatam kar diya.aur apni shakti badhane ke liye sab gaon walo ke bachcho ko chura kar unki shaitan ko bali chadhane laga.

Udhar rajnandini ko jab apne pita ki mrityu ka samachar mila to vo apni maa se milne ke liye nikal padi kintu raste me hi azgar ne uska apharan kar liya..rajnandini uss samay garbh vati thi.usne rajnandini ke pet me pal rahe bachche ko maarne ki koshish ki kintu rajnandini apni shaktiyo ki madad se kisi tarah vaha se bach kar nikal gayi.

Usne jab ye baat mujhe batayi to mera khoon kroadh ke avesh me khoul utha..maine rajnandini ko vachan diya aur uss dust papi ka sarvanash karne ka nishchay kar liya..mere iss sankalp ki jankari gurudev ko bhi ho gayi to vah mujhse milne aa gaye aur mujhse ekant me iss vishay par charcha karne lage.

Ashtavakra-vats, dushman par hamla karne se pahle uski taqat aur kamjori ke vishay me jaan lena chahiye.tabhi vijay prapt hoti hai.

Adirishi (gusse me)-uski mrityu avashyak ho chuki hai gurudev.bina uski mrityu ke ye shanti kabhi sthayi nahi ho sakti..prati din uske atyacharo badhte hi ja rahe hain.masum bachcho aur aurto par zulm dha raha hai vo naradham.

Ashtavakra-tumhari baat apni jagah nyayochit aur sarvatha uchit hai.kintu azgar ko maarna itna saral nahi hai.. usko maarne se pahle tumhe uska suraksha kawach todna hoga..azgar teen teen abhedya kawach se surakshit hai. Uska pahla kawach jaise hi tum todoge vaise hi tumhari mrityu hona nishchit hai..azgar to phir bhi bach jayega kyon ki tab bhi uske paas do kawach shesh bache rahenge..uske inn teeno kawach ko tode bina uski mrityu hona asambhav hai ..magar uski mrityu ke sath bhi ek pareshani hai...

Gurudev ki baat sun kar to main hairan hi rah gaya..main to azgar ko maarna koi adhik mushkil kaam nahi samajh raha tha, apne paas itni shaktiyo ke hote huye.

Adirishi (shocked)-aur bhi koi samasya hai gurudev..?

Ashtavakra-haa putra, bahut badi samasya hai..pahli to yahi hai ki bina uska kawach tode koi usko parajit nahi kar sakta, maarna to door ki baat hai..uska kawach vahi tod sakta hai aur maar sakta jo usse jyada taqatwar ho aur jisne kabhi koi paap na kiya ho...ye dono gun tumhare andar moujud hain adirishi.

Adirishi-to iska arth ye hua ki main usko maar bhi sakta hu.?

Ashtavakra-tum avashya hi usko maar sakte ho kyon ki tum uska kawach todne ki kshamta rakhte ho.kintu ..

Adirishi-akhir baat kya hai gurudev..?

Ashtavakra-usko maarne ke liye tumhe apni hi putri se vivah kar ke uske sath sambhog karna hoga.

Adirishi (shocked)-kyaaaaa...? nahi..nahi.main aisa ghor paap kadapi karne ki soch bhi nahi sakta.

Ashtavakra-to tum kabhi azgar ka kuch bigad bhi nahi sakte..na azgar ke atyachar se kisi ko bacha sakte ho aur na hi rajnandini ko bacha paoge usse...aur ye bhi yaad rakho putra ki azgar ko maarne ki kshamta iss samay me sirf tumhare hi paas hai..

Adirishi-phir bhi gurudev itna bada paap mujhse nahi hoga...aur vaise bhi ye kaam karte hi main khud hi paapi ban jaunga to azgar ko maar hi nahi paunga.

Ashtavakra-ye mat bhulo vats ki ye shaktiya tumhe jan kalyan ke liye hi mili hain..apna bhala ya bura sochne ke liye nahi...jan kalyan me hi tumhara kalyan hai..aur putra, paap ke bhagidar to tum azgar se yuddh kiye bina bhi ban jaoge kyon ki tum rajnandini ko vachan jo de chuke ho..isliye apne niji hito se upar uth kar gahan vichar karo.

Adirishi-to aap hi bataiye gurudev ki main kya karu..? Jabki uska kawach todte hi main khud hi mout ka shikar ho jaunga.? Aur mere marne ke baad to vo jinda hi rah jayega na..?

"Iska bhi upay hai putra." Sahsa vaha guru Vishwamitra ji ne prakat hote huye kaha.

Adirishi-pranam gurudev

Vishwamitra-kalyan ho.

Adirishi-kaisa upay gurudev.?

Vishwamitra-azgar ko maarne ke liye tumhe teen baar janam lena padega.

Adirishi-kintu gurudev.mere agle janam me to meri pichli sabhi yaade samapt ho jayengi.? Ye shaktiya bhi mere paas nahi hongi.aur mere marne ke baad bhi to vo jinda rahega.ho sakta hai ki vo rajnandini ko nuksan pahucha de..?

Vishwamitra-vats, tumhara aur rajnandini ka janam ek vishesh karan se hua hai.usko tum iss janam me maar to nahi sakte kintu uska kawach tod kar use qaid to kar hi sakte ho..tumhare marnoprant tumhare sharir ko surakshit rakhne ki jimmedari kanak rishi ki hogi jo ki bhagwan shiv ke param bhakt hain iss samay dharti par.chunki tumhara janam azgar ka naash karne ke nimitt aur jan kalyan ke liye hua hai, isliye marne ke baad bhi pichle janam ki sabhi yaade tumhare mastisk me jivit rahengi..naya janam hone par tumhe shaktiya phir pradan karne ka kaam ashtavakra ji karenge..jab tumhara milan kanak rishi se hoga tab vo apni taposadhna se tumhare mrit sharir ke dimag me sanrakshit pichli sabhi yaado ko tumhare naye sharir me pravisht kara denge.

Vishwamitra-tumhara naam adirishi rakhne ke piche bhi karan hai..aadi shakti ka pratik hai to rishi buddhi ka.. main rajnandini ke garbh ki santan jo ki ek ladki hai usko sankarsan ke madhyam me kisi anya stri ke garbh me sthapit kar dunga.ussi kokh se tumhara bhi janam hoga jisse dono me khoon ka rishta barkarar rahega.tumhe pichli yaade milne ke baad tum phir se adirishi ban jaoge aur uss ladki se tumhara baap beti ka rishta bhi juda rahega kyon ki vo vastav me rajnandini ki hi santan hogi.theek vaise hi jaise ki dwapar me devki ke garbh se balram ji ko sankarsan ke jariye rohini ke garbh me sthapit kar diya gaya tha.tab bhi vo devki putra hi the..

Vishwamitra-jab tum uss ladki matlab ki apni hi beti se vivah kar ke usse sambhog karoge to usme supt avashtha me nihit shaktiya tumhare andar aa jayegi aur tum aur bhi shaktishali ho jaoge..phir tumhe azgar ka dusra kawach tod kar usko qaid karna hoga.

Adirishi-gurudev, jab agle janam me bhi mujhe azgar ko qaid hi karna hai to phir apni hi beti se shadi kar ke paap karne ki kya avashyakta hai..?

Vishwamitra-avashyakta hai putra.kyon ki uss ladki ke garbh ke sath bhi yahi sankarsan kriya dohrayi jayegi..uski santan hi tumhare teesre janam me patni banegi..usse sambhog ke pashchat tumhe phir shaktiya milengi..kintu yahi kriya rajnandini ki santan ke sath bhi hogi.

Adirishi-aisa kyo gurudev..?

Vishwamitra-iska rahasya tumhe apne teesre janam me malum ho jayega samay aane par..aur ek baat rajnandini tumhare har janam me tumhari humsafar ban ke rahegi.uske bina tum adirishi kabhi nahi ban paoge, kyon ki uska sachcha pyar tumhari ruh me basa hua hai..tumhare agle dono janam me tumhe adirishi banane wali rajnandini hi hogi.

Adirishi-parantu gurudev, aisa karne se to main bhi papi hi ban jaunga...jabki azgar ko mile vardan ke anusar usko maarne wala paap rahit hona chahiye.... ?

Vishwamitra-vats, tum ye paap kar ke bhi paap rahit hi rahoge, kyon ki tumhara ye paap mann se nahi juda hai balki jan kalyan se juda hua hai.

Adirishi-aisa kaise sambhav hai gurudev ki main paap karne ke baad bhi paap rahit rahunga.?

Vishwamitra-vats, vidhya ki devi saraswati, brahma ji ki sagi putri hain..ye jante huye bhi unhone apni putri saraswati se vivah kiya..brahmarshi vashishtha aur arundhati sage bhai bahan the.dono brahma ji ki hi santan hain, ye jante huye bhi vashishtha ji ne arundhati se vivah kiya..chandra dev ne apne guru brahaspati ji ki patni tara se sambhog kiya jisse budh ka janam hua aur budh se hi chandra vansh ki shuruat huyi.shri krishna ji ki bahan subhadra,arjun ke sage mama vasu dev ji ki ladki thi.iss rishte se to dono bhai bahan huye.tab bhi krishna ji ne dono ka vivah karaya...ravan ki patni mandodari ko vibhisan ne hamesha bhabhi maa kahte the.ravan ki mrityu ke baad bhagwan ram ne vibhisan ki shadi mandodari se karayi.surya dev ne apni sagi putri usha ke sath sambhog kiya...aur bhi bahut se udaharan hain...to kya ye sab aisa karne se papi ho gaye..? Nahi na.vaise hi tum bhi ye kar ke bhi nishpaap rahoge.

Adirishi-dhanyawad gurudev..aapne meri ankhe khol di.

Vishwamitra-tumhara kalyan ho vats..ab jao aur azgar se yuddh ki taiyari karo..aur rajnandini ko apne sath me jarur rakhna.azgar ko qaid karne me uski shakti ki jarurat padegi tumhe.

Uske pashchat main vaha se apne gaon ki taraf nikal chala jaha azgar ne kohram macha rakha tha.rajnandini bhi mere sath aa gayi.lekin yaha par sonalika ne badi galti kar di, vo bhi mere piche piche pari lok se bina kisi ko bataye nikal aayi.
 
Back
Top