[color=rgb(184,]UPDATE- 110[/color]


Vishwamitra-tumhara kalyan ho vats..ab jao aur azgar se yuddh ki taiyari karo..aur rajnandini ko apne sath me jarur rakhna.azgar ko qaid karne me uski shakti ki jarurat padegi tumhe.

Uske pashchat main vaha se apne gaon ki taraf nikal chala jaha azgar ne kohram macha rakha tha.rajnandini bhi mere sath aa gayi.lekin yaha par sonalika ne badi galti kar di, vo bhi mere piche piche pari lok se bina kisi ko bataye nikal aayi.

Ab aage..

Usko hamare gaon ka pata malum nahi tha isliye vo bhatakte huye kapali ke thikane par ja pahuchi.jaha kapali ne usko paka liya.iski suchna turant kilwish tak pahucha di usne..kilwish fatafat uske paas pahuch gaya aur vaha sonalika ko dekh kar behad khush hua.

Jabki sonalika darr se jor jor se mujhe chillane lagi..main abhi gaon pahuchne hi wala tha ki mere dimag me turant sonalika ki cheekhe goonjne lagi.

Main turant rajnandini ke sath hi vaha se palat kar sonalika ke paas pahuch gaya jaha vo dust uske sath jabardasti karne ki koshish me laga hua tha.ye dekh kar mera kroadh satve aas maan par pahuch gaya.mujhe vaha dekh kar kapali mere upar apni tantrik mayavi shaktiyo ka prahar karne lag gaya.lekin uski koi bhi shakti mere samne adhik der tak nahi tik pa rahi thi.jab usko laga ki ab vo mere hatho mara jayega to mayavi vidhya se adrishya ho kar vaha se bhag gaya.

Uske bhagte hi kilwish ke numaende mujhe maarne ke liye daude lekin maine aag ki shakti se unki turant hi jal kar khak me mila diya aur phir ja kar kilwish ko uski gardan se pakad ke sonalika se door khich liya..sonalika roti huyi mere sine se lag gayi.apni hawsh ki poorti ek bar phir se poori hote na dekh kilwish tilmila gaya aur mere upar pattharo ki barish karne laga.inme se kuch ek patthar sonalika aur rajnandini ko bhi lage jisse vo ghayal ho gayi.

Ye dekh kar maine turant tez hawa ka prayog kar ke uske dwara meri taraf phenke ja rahe pattharo ka marg badal diya aur vo uske kuch bache huye pishacho ka hi kaam tamam karne lage..apne sabhi vaar vifal hote dekh kilwish ne apni maya se vaha andhera kar diya aur phir mere upar prahar karne laga.

Andhere me bhi main uski aahat ke adhar par uske har vaar ka samuchit jawab dene laga lekin phir bhi iss maya ke samne main kamjor padta ja raha tha.iska fayda utha kar usne dusri disha me vaar karne laga jisse ki main bhi aahat ka picha karte huye udhar hi vaar karne me dhyan lagau aur vo apna maksad poora kar sake.

Aur hua bhi kuch aisa hi.maine aahat hone ki disha me apni shaktiyo ka prayog karne laga.iss mouke ka fayda utha kar vo adrisha ho ke mere piche aa gaya aur pith me talwar ghused di jisse main dard me jor se cheekh kar niche gir gaya..mere niche girte hi vo sonalika ko pakad ke vaha se ghasit kar le jane laga.jisse sonalika bhi cheekh uthi.

Sonalika (cheekhte huye)-adirishiiiiiiiiiiii...bachaaaaaoooooo

Pahle meri aur phir sonalika ke cheekhne ki awaz sun kar rajnandini ghabra uthi aur andhere me mujhe tatolte huye mere paas aa pahuchi.usko jaise hi meri halat ka ehsaas hua to uski ankho me dard aur gusse ka toofan umad aaya, ankhe ekdam lal angaare ki tarah damak uthi.

Agle hi pal gusse se uske kesh hawa me lahra uthe aur unka akaar tezi se badhne laga..uske inn kesho ne kilwish ko sir se pair tak apne bahupash me jakad liya aur ek jhatke se khinch kar usko mere paas patak diya.

Kilwish ne apne apko uss bandhan se chhudane ki bahut koshish ki lekin uska koi prayas kamyab nahi hua..jab vo khud ko nahi chhuda paya to rajnandini ko maarne ke liye usne mann hi mann kuch budbudane laga..isse pahle ki vo kuch kar pata rajnandini ne meri pith se talwar bahar khich kar uske sine me jor se ghusa kar aar paar kar di.

Kilwish dard se cheekhne laga lekin mara nahi..pith se talwar nikal jane se mera ghaav tezi se bharne laga aur kuch hi der me main uth khada hua aur maine uss divya talwar ko yaad kiya..agle hi kshan bhagwab shiv shankar ka vardan vo divya talwar mere hatho me apni chamak bikherne lagi..jise maine ek hi jhatke me kilwish ke sine me jad tak ghused diya jaha rajnandini ki talwar ghusi huyi thi theek uske bagal me hi.

Shiv shakti ke iss dohre prahar ( rajnandini ki talwar mata mahakali ki shakti ki den aur meri prabhu shiv ki) Kilwish dard se tadapne laga aur cheekhte, chillate aur tadapte huye hi phir shant ho gaya..maine vahi uski kabra khod kar ek taboot me band kar ke ussi jagah dafna diya aur upar se ek suraksha kawach se band kar diya.

Kilwish ke khatam hote hi uska maya janit andhera bhi samapt ho gaya.Main ab vaha se sonalika aur rajnandini ko lekar phir se gaon aa gaya jaha azgar ke vo khunkhar sainik aurto ke sath pashvik atyachar kar rahe the..maine turant aag ki shakti ka prayog kar ke unhe bhasm karne laga.unme se kuch sainik bhag kar azgar ke paas pahuch gaye.

Rajnandini apni maa se milne ghar chali gayi udhar Azgar ke sainiko neuske paas pahuch kar usko sara haal kah sunaya..sath me ek ghayal pisach ne aa kar usko kilwish ki mrityu ka samachar diya.

Azgar kilwish ki mout ki khabar sunte hi gusse se pagal ho utha aur turant apne sabhi nar pishacho ke sath uss gaon me aa dhamka jaha hum log the.

Aate hi usne maar kaat machani shuru kar di.sab bhagte chillate rajnandini ke ghar ke bahar jama ho kar mujhse madad ki guhar karne lage.

Maine jaise hi azgar aur uske sainiko ko vaha logo par julm karte dekha to mera gussa bhadak gaya..main unko ek ek kar ke yamlok pahuchane laga..dusri taraf ka morcha rajnandini ne sambhal liya halanki vo iss samay ladne ki halat me nahi thi kyon ki uske garbh ka akhiri waqt chal raha tha..lekin main ye janta tha ki uske garbh ko gurudev ne sankarsan kriya ke madhyam se kisi anya ke garbh me surakshit kar diya hai aur uss stri ke garbh ki santan ab rajnandini ki kokh me hai.

Azgar (gusse me)-tune kilwish ko maar kar apni mout ko dawat di hai..shayad tujhe pata nahi ki Azgar kewal fufkar nahi marta balki vo apne shikar ko poora nigal jata hai..rajnandini sirf meri hai

Adirishi-aaj tere paapo ka ghada bhar chuka hai dust..apne anzam ke liye taiyar ho ja ab.

Azgar ne mere upar aag phenki chalu ki lekin maine usko pani se bujha diya..usne pani ka upyog kiya to maine usko hawa se uda diya...usne mere upar badi badi chattano ki barish ki to unko maine bijli ki shakti se visfot kar diya beech me hi.

Maine uske upar burf ka prayog kiya to usne apni aag ki shakti se usko pani bana diya..maine bijli se usko kabu me karna chaha to usne bhi apni shaitani bijli se usko madhya me hi rok diya..

Phir vo adrishya ho kar vaar karne laga..kabhi idhar se to kabhi udhar se to kabhi charo taraf se ek sath.jisse sab gaon wale ghayal hone lag gaye..ye dekh kar maine apni anguthi ki shakti se adrishya ho gaya aur to uska vaar bhi kuch samay ke liye ruk gaya aur vo samne pratyaksh aa gaya.

Mujhe vaha na dekh kar usne samjha ki main usse darr kar bhag gaya hu ya phir rajnandini ke ghar ke andar ja chhipa hu.to vo ab rajnandini ki taraf apni gandi niyat se badhne laga.iss avsar ka labh utha kar maine phir se uss divya talwar ko yaad kiya aur uske hath me aate hi maine sidhe uske samne prakat ho gaya.

Mujhe iss tarah se achanak apne samne dekh vo chounk gaya.vo kuch karta ki uske pahle hi maine uss divya talwar ko uske sine me aar paar kar diya jisse uska pahla kawach toot gaya.

Uska kawach todte hi mere sine me asahniya dard hone laga aur main jor se chillate huye vahi dhadam se gir gaya. mere chillane ki awaz se rajnandini ka dhyan meri taraf khich gaya aur vo mujhe niche pade dard me tadapta hua dekh kar rote huye daud padi.

Rajnandini jaise hi mere paas pahuchi azgar ne uske pet me jor se laat maar di.vo vahi niche gir ke tadapne lagi..ye dekh kar maine kisi tarah se khada hua aur jaldi se apni talwar uske sine se nikal ke uski gardan katna chaha vaise hi usne apni talwar mere pet me ghusa di.

Rajnandini (cheekhte huye)-rishiiiiiiiiiiii

Sonalika-adiiiiiiiiiii

Mere hatho se talwar chhut kar kaha giri mujhe pata nahi lekin main vahi gir gaya..usne agla vaar meri gardan par karne hi vala tha ki beech me yakayak sonalika beech me aa gayi aur ek hi jhatke me uski gardan alag ho gayi.

Ye dekh kar rajnandini ki ankhe rote rote achanak tamtama uthi..azgar phir se meri gardan par vaar karne hi wala tha ki tabhi rajnandini ne apne kesho me use lapet liya aur uske sath hi uske vo kesh usko hawa me utha kar tezi lahrane lage aur phir unhone azgar ko kahi door, bahut door kisi anjane grah me phenk diya.

Meri ankhe band hone lagi thi aur sab kuch dhundhla padne laga tha.saanse bhi thamne si lagi thi..mere muh se bas ek hi shabd nikal raha tha vo bhi badi mushkil se..aur vo shabd tha rajnandini...rajnandini jamin par hi sarakte huye mere paas aayi aur mere sir ko chumne lagi lipat ke rote huye.

Adirishi-r..a...j..nandinii

Rajnandini (rote huye)-nahiii.rishii.tumhe kuch nahi hoga..main tumhe kuch nahi hone dungi..hey maa mere rishi ko bacha lo..

Adirishi-aa...r.o.m.a.t..m.a.i.n..v.a.pis...ja.rur...aun.ga...ek..din...ye..mera..va.da.raha.raj..nan.dini mera .intazar.karn..a..

Rajnandini (rote huye)-nahii..tum kahi nahi jaoge...main tumhe kahi nahi jane dungi..samjhe na tum..rishii.. rishi. (chehre ko hilate huye) tum kuch bolte kyo nahi..rishii.. (jor se) rishiiiiiiiiiiiiiiiii...nahiiiiii..

Aur phir rajnandini jor jor se dahad maar kar rote huye behosh ho gayi ..tabhi achanak mera sharir vaha se adrishya ho gaya...behoshi ki halat me hi rajnandini ne ek mare huye bachche ko janam diya..sab jagah mere marne ki khabar se shok vyapt ho gaya..

Ashtavakra ne apne ek shisya ko parilok ka rajguru bana kar vaha se chale gaye..mere sabhi dost bhi pari lok chhod kar apne gaon aa gaye..kisi ko ye tak nahi pata tha ki rajnandini jinda bhi hai athva nahi.kewal gaon walo ko chhod kar..kyon ki uske baad rajnandini uss gaon se kahi gayi hi nahi..uske rishi ke pratham aur antim milan ki yaadgar thi vo jagah.usne rishi ki yaado ko hi apna ashiyana bana liya aur uske aane ka intazar karti rahi sadiyo tak.

FLASHBACK ENDS
 
[color=rgb(184,]UPDATE-111[/color]


Adirishi aur Rajnandini ki prem kahani sunte sunte sabhi ki ankho se aviral jal dhara pravahit hone lagi thi.sadiyo purani iss prem gatha ki samapti ke baad bhi kisi ko kuch josh nahi tha.sabhi chetna shunya ho kar jadwat achetan ki avastha me stabdh ho gaye the.aisa lag raha tha jaise ki unko kisi ne apni sammohan vidhya se sammohit kar liya ho.

Sabhi gahre sadme jaisi halat me the.kisi ne bhi kabhi kalpana tak nahi ki thi ki koi kisi ko itna bhi pyar kar sakta hai..kisi ka sadiyo intazar kar sakta hai.urmila, megha, anand, shree to adii ka sach jaan kar chounk hi gaye the vahi saroj aur deepa ka bhi yahi haal tha.

Anand, urmila, megha, ajeet, agni, saroj, deepa, sabhi dost, khatra, chitra, margret yaha tak ki uss tote murugan tak ki ankhe ashru poorit ho chuki thi..kintu shree ki ankho ka rang kuch alag hi tha.na to unme anshu the aur na hi koi bhav samajh me aa raha tha.na jane kya tha uski ankho me..shayad uski inn ankho me aane wale samay me kisi bhayanak aandhi ki neev pad chuki thi.

Dusri taraf adii aur rajnandini apne aap me hi ek dusre ki baho me lipte khoye huye the.inn sab baato se poori tarah se bekhabar ki unko kayi ankhe dekh bhi rahi hain.vo dono to bas ek dusre ki ankho hi ankho me baate karte huye apne apne gile shikwe mitane me vyast the..bina sawan ke hi unki ankhe varsha ritu ki tarah bah rahi thi.. jaise kah rahi ho ki.

Rok Kar Baithe Hain, Kayi Samandar Ankho Mein.
Dagabaaz Ho Sawan To Kya...
Hum Khud Hi Baras Lenge..

Rajnandini (anshu bahate huye mann me)-tumne mujhe kitna intazar karwaya rishi.sab kahte the ki tum ab kabhi nahi aaoge, lekin main to bas tumhare akhiri shabdo par vishwash kar ke jiye ja rahi thi.kaise maine ye samay bitaya hai tumhare bina.tum nahi jante..

Chaha Tha Muqammal Ho, Mere Gum Ki Kahani
Main Likh Na Saki Kuch Bhi, Tere Naam Se Aage.

Adii (mann me)-mujhe to khud hi hosh nahi tha ki meri zindagi kaha hai.? Main to ab tak mrig trishna me bhatak raha tha..main khud ko hamesha adhura mahsoos karta tha kintu uss adhurepan ki vajah nahi janta tha.bas kisi anjani manzil ki talash me dar dar bhatakta raha.na to kisi ka hua aur na hi kisi ko apne dil ke karib aane diya.aaj tumhe dekhte hi mera vo adhurapan khatam ho gaya..meri uss anjan manzil ki talash bhi tum tak pahuchte hi samapt ho gayi..rishi sirf tumhara tha aur tumhara hi rahega nandini.

Dono ek bar phir se ek ho gaye aur ek dusre ko chumne lage..baki sab kisi mook darshak ki bhanti bina palak jhapkaye dono ki iss prem leela ko dekhne ka anand uthate rahe.

Shree dusri taraf muh kar ke khadi thi, pata nahi vo kya soch me doobi huyi thi.akhir kar iss khamoshi ko toda murugan ne..uski awaz se sabhi chounk kar iss khamoshi bhare vatavaran se bahar nikal aaye.

Murugan (dukhi awaz me)-kitni door door ke do premiyo ko tune mila diya bhagwan..mujhe bhi meri bahan se kyo nahi mila deta.? Na jane kaisi hogi vo.? Mere baad uska kya hua hoga..? Meri vinti bhi sun le bhagwan..sun le

Sab chounk kar udhar dekhne lage ki ye koun bol raha hai..lekin jab unhone ek tote ko admi ki tarah baat karte huye dekha to chakit rah gaye.

Murugan (rote huye)-tum sab mujhe aise mat dekho.adii tum hi meri madad kar do..meri bahan se mila do mujhe.tumhe tumhare pyar ka vasta..meri madad kar do.

Uske iss karun krandan ki pukar ne adii aur rajnandini ke dil tak bhi dastak de gayi aur dono apni yaado ke jharokho se bahar nikal aaye.jab dono ne apne samne sab logo ko khade dekha aur khud ko ek dusre ki baho me lipte hone ka ehsaas hua to dono behad sharminda ho kar alag ho gaye.

Adii-mummy..ye rajnandini...

Urmila (beech me hi)-kuch bolne ki jarurat nahi hai beta...main sab sun chuki hu.ye to meri bahu hai..nahi bahu nahi balki meri beti hai..aa ja beti.mere gale lag ja..

Rajnandini ne apne sir par pallu dal ke turant uth kar urmila ke pair chhuye...urmila ne usko utha kar apne gale se laga liya.

Rajnandini-main kshama chahti hu maa ji...mujhe pata hi nahi chala ki aap kab yaha aa gayi.

Urmila-achcha hua ki tumhe pata nahi chala warna mujhe pata kaise chalta ki iss sansar me koi mere adii ko itna chahne wali bhi hai....tu ro mat beti...ye aisa hi hai, mujhe bhi aise hi rone ke liye chhod kar chala jata hai...ye pagal ye bhi nahi sochta ki uske bina uski ye budhi maa kaise jee payegi.

Adii-mummy...mujhe bhi gale lagao na

Urmila-nahi... tu mujhe rulata bahut hai...ab to main apni beti ko hi gale lagaungi.

Adii-theek hai to main apni dusri maa ke gale lag jata hu.

Adii (megha ke paas ja kar)-maa

Adii ke muh se maa shabd sunte hi megha ki rulayi phut padi..uske muh se iss ek shabd ko sunne ke liye, na jane uski pyasi mamta kab se tadap aur taras rahi thi..aur kab vo apne bete ko sine se laga kar apna kaleje ko shant karegi.aaj vo shabd jab usne suna to khud ki bhavnao par kabu nahi rakh saki...ek maa ki ankhe bagawat kar baithi..shayad isliye hi maa ko dharti se bhari kaha gaya hai..usne jaldi se adii ko apne sine se chipka liya aur rote huye uske poore chehre ko chumne lagi.

Megha (rote huye)-bete.mere lal...tu kaha chala gaya tha.tu nahi janta ki main kaise tere bin jee rahi thi.

Adii-mat ro maa...main sab jaan chuka hu maa....ab se aap ka ye beta apni maa ke paas hi rahega .

Rajnandini ne bhi megha ke pair chhuye to usko bhi usne gale se laga kar bahut pyar kiya...aaj dono maa ki ankhe itni khushi bardast hi nahi kar pa rahe the, unse aviral ganga jamuna ki jal dhara nirantar bahe ja rahi thi...adi aur rajnandini ne anand aur ajeet ka ashirwad liya.

Adii ko dekh kar margret aur agni bhi uske sine se lagne ke liye vyakul thi magar kuch kah nahi pa rahi thi...margret aur shree to lag bhi jati uske gale kintu rajnandini ke samne khud ko bahut asahaj mahsoos kar rahi thi....unhe rajnandini ke pyar ke samne apna pyar behad chota nazar aane laga tha...jabki agni ke mann me aisa kuch bhi nahi tha...unn dono ke milan se vo khush thi...uske bare me to sab jaan hi chuke the.

Adii-maa, ye agni hai...ye bhi apki bahu hai...mujhe maaf kar dena agni, main tumhara apradhi hu...main tumhe vo haq nahi de paya jiski tum haqdar thi.

Megha-hame sab pata chal chuka hai beta...agni ne hame sab bata diya hai.

Agni (adii ke pair chhu kar)-aap aisa kabhi mat sochiyega....mujhe kabhi aap se koi shikayat nahi thi...aapne mujhe swikar kar liya, yahi mere liye bahut badi khushi ki baat hai.

Baad me agni ne rajnandini ke bhi pair chhuye...rajnandini ne usko apni choti bahan ki tarah samman diya...urmila ne bhi agni ko sine se lagaya....adi ne margret ka parichay bhi rajnandini se karaya to rajnandini ne khushi se usko accept kar liya....sab khush the milne me hi..magar tabhi...

''Vo ladki kaha hai jisko sankarsan ke jariye kisi dusre garbh me sthapit kiya gaya tha... ?'' sabse piche dusri taraf muh kiye khadi shree ne kaha...shayad iss sawal ki vajah se vo kafi tension me lag rahi thi...
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 112[/color]


Baad me agni ne rajnandini ke bhi pair chhuye...rajnandini ne usko apni choti bahan ki tarah samman diya...urmila ne bhi agni ko sine se lagaya....adi ne margret ka parichay bhi rajnandini se karaya to rajnandini ne khushi se usko accept kar liya....sab khush the milne me hi..magar tabhi...

''Vo ladki kaha hai jisko sankarsan ke jariye kisi dusre garbh me sthapit kiya gaya tha... ?'' sabse piche dusri taraf muh kiye khadi shree ne kaha...shayad iss sawal ki vajah se vo kafi tension me lag rahi thi...

Ab aage....

Abhi tak rajnandini ne shree ko nahi dekha tha, sirf uska naam suna tha....shree ke iss sawal ne sab ke dil me koutuhal paida kar di thi..shayad vo bhi iss uttar janna chahte the...rajnandini ko iss baare me koi jankari nahi thi isliye uske mann me aisa koi bhav nahi tha.

Rajnandini-koun ladki... ? ye koun hai aur kis ladki ki baat kar rahi hai.... ?

Adii-hamari beti ki...

Rajnandini (shocked)-kyaaaa... ? lekin meri aulad to mere garbh me hi khatam ho gayi thi uss dust ne usko mere pet me hi maar diya tha.phir ye kaise sambhav hai.?

Adii-hamari beti jinda hai rajnandini.gurudev ye jante the ki vo dust usko maarne ki avashya koshish karega isliye unhone sankarsan ke madhyam se tumhare garbh ko kisi anya aurat ke garbh se sthanantarit kar diya tha.

Rajnandini (shocked)-kyaaaaaa..? (rote huye).Itni badi baat aur tumne mujhe kabhi nahi batayi..akhir kyo.. rishi tumne ye baat kyo nahi batayi mujhe.? Main aaj tak iss dukh se dukhi rahi ki main tumhari akhiri nishani ki bhi hifazat nahi kar saki.jab dusro ke bachcho ko khelta dekhti to mujhe barbas hi apne bachche ki yaad aa jati aur main ek kone me muh chhupa ke rone lagti..mere bhagya ki ajeeb vidambana to dekho ki meri beti jinda hai aur main use mari huyi samajh kar aaj tak roti rahi.kyo kiya tumne mere sath aisa rishi..kyo.?

Adii-Jisse kisi ko koi shaq na ho.agar tumhe ye baat malum hoti to tum khud ko usse milne se rok nahi pati aur isse azgar ko shaq ho jata.sari yojna par pani phir jata agar azgar uss ladki ko koi nuksan pahucha deta to..isliye iss baat ko sabhi se gupt rakhne ka gurudev ne nirnay liya.

Rajnandini (rote huye)-kaha hai meri beti.? Mujhe apni beti se milna hai.batao rishi.meri beti kaha hai..? mujhe uske paas le chalo..

Adii (mann me)-tum abhi poora satya nahi janti rajnandini.kya tum apni hi beti ko apni soutan bante huye dekh sakogi.? Kya tum apne pati ko bistar me apni hi beti ke sath baant sakogi..? Ye kadwe tathya ko swikar kar pana itna asaan nahi hai rajnandini..aur iss samay tum isse jyada satya sunne aur samajhne ki halat me nahi ho.mujhe isme gurudev ki hi madad leni padegi samay aane par.

Rajnandini (rote huye)-bolo rishi.chup kyo ho.? Bhagwan ke liye kuch to bolo, rishi.

Adii-Vo ladki aur koi nahi balki khud.. Shree hi hai...tumhare samne khadi ladki shree hi tumhari beti hai, rajnandini..aur meri to beti ke sath sath bahan bhi hai.

Sab (shocked)-kyaaaaa...?

Shree ko jis baat ki ashanka ne gher rakha tha, akhir uski vahi ashanka satya ka roop le kar uske samne khadi ho gayi.uske hriday me ek aseem dard tuhne laga aur phir badhte badhte ye dard jab apni sarhad paar kar gaya to shree ki ankho se jhar jhar karte huye anshuo ka roop le kar bahne laga..jinko ki usne badi der se rok kar rakha tha kintu baadh aane par pani ke bahav ko apni disha tay karne se bhala koi baandh rok sakta hai kya.?

Rajnandini (shocked)-kyaa ye meri meti hai..shree meri beti hai..?

Adii-hmmmm

Rajnandini-shreee.betiii

Adii ke mukh se ye sunte hi rajnandini bhag kar shree ko pakad ke apni taraf ghuma liya aur dekhte hi chounk gayi shree bilkul rajnandini ki xerox copy thi.shree bhi behad khubsurat thi bilkul apni maa rajnandini ki hi tarah..haan agar kuch fark tha to ye tha ki rajnandini ke chehre par ek tez tha jo uske soundarya ko char chand laga raha tha warna iss fark ke bina inn dono ko ek sath dekh kar kisi ke liye bhi ye batana behad jatil baat thi ki inme se shree koun hai aur rajnandini koun..?

Shree ke chehre ko dekhte hi rajnandini ke dil se shanka ke saare badal chhat gaye.uske anshuo se tar batar chehre ko dekh kar uske dil me bhi dard umadne laga to usne jaldi se shree ko apni bahupash me jakad liya.. shree bhi apni maa ke sine se lipat gayi aur jor jor se rone lagi.

Megha (nam ankhe)-ye kaisa sanyog hai...kaisa chamatkar hai ye... ? maine to kabhi socha bhi nahi tha ki kabhi aisa din bhi dekhne ko mil sakta hai.?

Urmila (nam ankhe)-sach much ye kisi bhi chamatkar se kam nahi hai..ek ladki kisi ki bahan bhi hai aur uski beti bhi..(mann me)-aur kal ko hone wali uski biwi bhi....teen rishte ek hi ladki ke , ek hi ladke ke sath hona chamatkar hi to hai.

Anand-lekin beta ye sab hoga kaise... ? mera matlab hai ki yaha to aisa ho pana sambhav nahi hai.

Adii-hum pari lok vapis jayenge..ye kaam vahi par sambhav ho sakega.

Ajeet-to yaha ke business ka kya hoga.?

Adii-hum beech beech me yaha aate rahenge.jisse azgar ka confusion bhi barkarar rahega aur vo yaha se vaha talashte ghumta phirega.

Murugan (udasi se)-adirishiii..

Adii-matlab ki tum bhi admi ki bhasa bolte ho..?

Murugan (shocked)-tum bhi ka kya matlab hai.kya koi aur bhi meri tarah aisi bhasa bolta hai.?

Adii-bata dunga.par pahle tum apne vishay me mujhe sab kuch vistar se batao.tabhi janne ke baad main tumhari koi madad kar paunga..

Murugan-mera naam murugan hai..main garud lok me apni bahan maina ke sath rahta tha.hum dono ko bahut sari bhasa bolne ka gyan tha.mujhe adhik unchayi me udne ka bahut shouk bhi tha aur ghamand bhi..ek bar main aur maina dono udte udte garud lok se bahut door nikal aaye.maina ke mana karne ke bavjud bhi main ahankarvash aur unchayi par chala gaya.mere iss ahankar ke parinam swaroop surya ki tez kirno ke prabhav se mere pankh jal gaye aur main aas maan se gir kar iss dharti lok me pahuch gaya.achcha hua ki main ek khalihan me rakhi fasal ke dher par gira tha isliye jinda bach gaya.main bina pankh ke ud to sakta nahi tha to ek shikari ne mujhe pakad kar shahar me ek vaishya ko bech diya...vaha rahte huye dhire dhire meri juban bhi gandi ho gayi.. jab mere pankh phir se nikal aaye to main ek din vaha se bhag nikla lekin yaha bhi ek shikari ke bichhaye jaal me phans gaya aur usse mujhe iss aurat ne kharid liya..bas yahi meri kahani hai..na jane meri bahan kaisi hogi.. kaha hogi vo.?

Adii-hmmm.tumhari bahan sakushal hai aur vo bhi tumhare liye utni hi vyakul aur adhir hai jitna ki tum usse milne ke liye utavle ho.

Murugan (khushi se)-kyaaaa sach me.? Meri bahan jivit hai aur sakushal bhi.? Kya tum usse mil chuke ho... ? (phir ankho se neer bahate huye)...batao na meri bahan kaha hai... ? main tumhara ehsaan kabhi nahi bhulunga.

Adii-yahi hai tumhari bahan mere paas me....

Murugan (shocked)-kyaaa....yahi hai.? Lekin vo to mujhe kahi dikhayi nahi de rahi hai..aisa kyo.?

Adii-kyon ki maine usko apni shakti se adrishya kar rakha hai.lo abhi usko tumhare samne le aata hu.

Aur phir mere ankhe band karne ke kuch pal baad hi vaha maina sab ki nazro ke samne aa gayi.jise dekh kar sab chounk gaye .sabse jyada to murugan aur maina hi chounke ek dusre ko dekh kar.

Murugan (chilla kar)-mainaaa..meri bahannnn.

Maina-murugann.bhaiyaaaaaa

Dono tezi se ud kar ek dusre ke paas pahuch kar apni chonch lada lada kar apne gile shikwe door karne lage. jabki dusri taraf rajnandini aur shree apne aap me hi khoyi huyi thi.main uske baad apne sabhi dosto se gale mila..sab pyar se mile.maine unki bhi shikayte door ki.last me chitra ko bhi gale lagaya.vo kafi der se asha bhari nazro se meri taraf nihar rahi thi.

Poora din aise hi milne milane me vyatit ho gaya.murugan aur maina ne bhi hamare sath hi rahne ka faisla kiya.. shree ke dil me pichhli ghatnao ka dukh to tha lekin uske mann me ek khushi bhi thi ki ab vo ek din jarur apne pyar, apne adii ki biwi banegi.

Main bhi aaj behad khush tha ki kayi varsho ke baad aaj rajnandini ke sath sone ko milega.uski komal baho ke ghere me uske madak jism ka sparsh aaj phir se mujhe milega..raat hote hi main iss khushi me jhumte huye apne kamre me ghus gaya.jaha pahle se hi koi leti huyi thi.main bhi khushi se uchhal kar uske upar kood gaya.
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 113[/color]


Poora din aise hi milne milane me vyatit ho gaya.murugan aur maina ne bhi hamare sath hi rahne ka faisla kiya.. shree ke dil me pichhli ghatnao ka dukh to tha lekin uske mann me ek khushi bhi thi ki ab vo ek din jarur apne pyar, apne adii ki biwi banegi.

Main bhi aaj behad khush tha ki kayi varsho ke baad aaj rajnandini ke sath sone ko milega.uski komal baho ke ghere me uske madak jism ka sparsh aaj phir se mujhe milega..raat hote hi main iss khushi me jhumte huye apne kamre me ghus gaya.jaha pahle se hi koi leti huyi thi.main bhi khushi se uchhal kar uske upar kood gaya.

Ab aage..

Bistar me girte hi main khush ho gaya ye mahsoos hote hi ki chadar ke andar vo poorn nirvastra ho kar mera intazar kar rahi thi...

Maine uske dono stano ko kas ke pakad liya aur unhe dhire dhire dabate huye apne hotho ko uske adhro se mil jane diya.lekin mujhe rajanandini ke hotho ke chumban ka ehsaas aaj kuch bhinn sa lag raha tha, pahle ki tulna me.

Kintu maine iss par adhik dimag kharch kiye bina apne kaam ke phir se bhid gaya.maine kuch der ke uske hotho ko apne hotho se juda kiya hi tha ki tabhi main chounk gaya..

"Aaahhhhh.adiii..main kab se iss pal ki pratiksha kar rahi thi..ruko mat adiii.aur aage badho aur mujhe aaj ek aurat hone ka ehsaas kara do..ufff."

Adii (shocked ho kar mann me)-Ye rajnandini ki awaz to kadapi nahi ho sakti.koun hai ye.?

Rajnandini ki awaz se bhinn awaz sunte hi main chounk gaya...aur jaldi se table me laga night lamp on kar diya.. phir jisko maine samne dekha to phir jhatka kha gaya.

Adii (shocked)-Chitraaa..tummm yahaaaaa..iss waqt vo bhi nangi pungi ho kar mere bistar me kya kar rahi thi...?

Chitra-aaahhhh.mere stan aur dabao na adii.thoda jor jor se..

Ji haan, ye aur koi nahi balki chitra hi thi jo light band kar ke mere bistar me chadar taan kar sone ka natak kar rahi thi.jaise hi mujhe ehsaas hua ki mere hath chitra ke stano par hain aur chitra khud hi mere hatho ke upar apne hath rakh ke unhe daba rahi hai.to maine turant apne hath khich kar bistar se niche kood gaya.

Adii-ye.ye kya harkat hai chitra.? Jaldi se kapde pahno apne..aur jao yaha se....agar kisi ne tumhe iss halat me mere room me dekh liya to main bina vajah phir se phans jaunga..

Chitra-koi nahi dekhega adii..sab iss samay so rahi hain.rajnandini didi bhi shree ke sath soyi huyi hain. main tumhare sath soungi.

Adii-kyaaaaa..?

Chitra-haan, maine bahut intazar kiya hai tumhara..tumne sab ko to apna liya phir mere sath hi paksh paat kyo.?

Adii-vo sab sharir dhari hain, samjhi.vaise bhi jitni chahiye thi utni ho chuki hain mere paas.lekin tum pareshan mat ho..main tumhari mukti ka bhi kuch na kuch upay jarur kaunga jaldi hi.

Chitra-mujhe mukti nahi chahiye, mujhe sirf tumhara pyar chahiye.Tumhare jane ke baad se maine kuch bhi khaya piya tak nahi hai.aur kisi ka khoon bhi nahi piya maine.kya mera jism tumhe pasand nahi aaya.?

Adii (dusri taraf muh kar ke)-sabse pahle to tum kapde pahno tabhi kuch baat karunga tumse.

Chitra-pahle meri taraf dekh kar batao ki main tumhe kaisi lag rahi hu.?

Adii-chupchap apne kapde pahno...tabhi tumhari taraf dekhunga..

Chitra-theek hai..ye lo pahan liye...ab meri taraf dekh kar baat karo.

Adii (palat kar)-chheee....niche ke kapde kaha hai.... ? warna main phir kabhi baat nahi karunga..

Chitra-nahi..nahi..to tum khud hi pahna do na kapde mujhe..

Adii-chal bhag yaha se..

Chitra (udas ho kar)-kaha jau...tumhare alawa to koi nahi hai mera... ? main yahi niche so jaungi.

Adii-chal theek hai muh mat latka.

Tabhi kisi ke kadmo ki aahat sun kar chitra vaha se adrishya ho gayi.aur phir kisi ne dhire se darwaja khol kar mere room me pravesh kiya aur aate hi mujhe piche se apni baho me bhar liya.maine palat ke dekha to ye shree thi.. main bhi shayad na pahchan pata ki ye shree hai ya phir rajnandini kintu bina sindoor ki maang dekhte hi samajh gaya ki ye shree hi hai.

Adii-didi aap yaha.itni raat me.? Neend nahi aa rahi kya.?

Shree-Yu to nahi chahti thi, Kahni ek baat..
Soyi nahi ye ankhe, Tumse bichhadne ke baad.

Adii-wah.didi kya baat hai.aaj kal to apka andaz shayrana ho gaya hai.

Shree-mujhe meri baat ka jawab chahiye adii.

Adii-kis baat ka jawab.?

Shree-yahi ki tumne mere vishay me kya faisla kiya hai..?

Adii-ye galat hai didi..aapne kabhi ye socha hai ki agar rajnandini ko ye baat pata chalegi ki uski apni beti hi uski soutan banna chahti hai tab uske dil par kya gujregi..?

Shree-maine nishchay kar liya hai ki mere iss jeevan ki kamna, vasna, sadhna aur aradhya sab kuch tumhi ho adii.. antar dwandwa se main haar gayi hu.ab mujhse raha nahi jata...agar tumne mujhe swikar nahi kiya to sun lo main nahi jee paungi.

Uske baad shree bina kuch kahe vaha se chali gayi to main bhi chupchap let kar rajnandini aur baki sab ke vishay me sochte huye ankhe band kar ke gurudev ka dhyan karne laga.kuch hi der me unki awaz mere kano me sunayi dene lagi.

Vishwamitra-kya baat hai vats..kafi udas lag rahe ho.?

Adii-pranam gurudev

Vishwamitra-tumhara kalyan ho..

Adii-samajh me nahi aa raha hai ki kya karu gurudev.? Shree aur chitra dono hi meri barso ki sadhna ko bhang karne par tuli huyi hain...

Vishwamitra-putra..yadi nari sabhi karyo me badha hi banti hoti to vidhata shayad uski srasti hi nahi karte....nar nari dono ke samanvay me hi srasti ka rahasya aur mahatmya hai...isliye shakti ke roop me nari ka aahvahan kiya jata hai....log jis maa durga ki sadhna, upasna karte hain vah bhi to nari roopa ek mahashakti hai...tum apni jis maa ke pair chhute ho, vah bhi to ek nari hi hai...ye sab kyo bhool rahe ho...nari ussi maha shakti ka ek mahatvapurn aur mahimamay ansh hai.

Vishwamitra-nari ke do hi mukhya roop hain..mata aur patni..pahla pujya roop hai aur dusra hai bhogya roop... aadi shakti ke dono mool tatva matratva aur kumaritva inhi dono roopo ka ashray lekar prakat hote hain...isliye inka tiraskar nahi kiya ja sakta aur na hi nari ki avhelna ki ja sakti hai...iska mahatvapurn karan hai ki sarvpratham kumaritya (kaumarya) bhang hone par hi matratva ki uplabdhi hoti hai..bhog ke baad hi pujya bhav hai...pahle bhog hone par hi nari ko matratva ka sthan prapt hota hai....agar aisa na hota to tumhara, mera ya phir kisi ka bhi astitva is sansar me nahi hota.

Vishwamitra-kuwari ladki pahle patni banti hai, phir usko bhogne ke baad hi nari mata banti hai aur vah pujya ban jati hai...patni uss maha shakti ka bhogya roop hai aur mata hai uska pujya roop..yahi karan hai ki maa durga ke dono roop kumari aur mata, ki pooja hoti hai...sadhna me bhi yatha samay in dono roopo ko grahan kiya jata hai.. nari ke prati teen bhav hain...pashu bhav, veer bhav aur divya bhav....sadharan jan athwa nimn koti ke log pashu bhav se nari ka upbhog karte hain....sadhna me iss bhav ka koi sthan nahi hai....nari yaha bandhan karak aur moh karak hai...sadhak iss bhav se kafi upar hota hai, vah veer bhav se nari ko bhogya roop me swikar karta hai...yahi maya roop hai prakrati ka...

Adii-kintu main rajnandini ko kaise samjhaunga gurudev... ?

Vishwamitra-ye to tumhe sochna hai vats...jo hota hai hone do...bas tum jan kalyan me lag jao..tumhara kalyan hi kalyan hoga.

Adii-iss jan kalyan ke chakkar me hi to mera pahle bhi kalyan ho chuka hai.....lagta hai phir se vaisa hi kalyan hoga.

Gurudev mushkurate huye antardhyan ho gaye aur main bhi let kar sone ki koshish karne laga..pata nahi kab neend lag gayi.

Subah jab sabse pahle rajnandini ki neend khuli aur usne sabhi ko abhi sote huye dekha to uth kar vo mere room ki taraf bhagi..aur jaise hi vo mere room me aayi to samne ka scene dekh kar uska mood hi kharab ho gaya kyon ki chitra phir se nirvastra avastha me mere upar soyi thi.aur sath me usne mere vastra bhi gayab kar diye the jiska ki mujhe koi andesha bhi nahi tha.

Vahi dusri taraf azgar aur kilwish yaha se adi ke hatho muh ki khane ke baad phir se kisi nayi ghatna ko anzam dene par vichar karne lage...halanki dono hi sidhe sidhe taur par adii ka samna nahi karna chahte the kyon ki azgar ko ye pata tha vah uska kawach tod sakta hai phir se, to vahi kilwish bhi ek bar adii ke hatho mout ka swad chakh chukha tha.

Kilwish-hame sidhi ldayi ladne ki bajaye kuch aur hi karna hoga..?

Azgar-hmmmm..devtao ne chhal kiya hai mere sath..mera kawach todne ke baad bhi adirishi ab tak jinda kaise hai.? Avashya devtao ne mere khilaf koi sazish rachi hai.lekin unhe malum nahi ki mera naam bhi azgar hai jo apne shikar ko poora nigal jata hai.

Kilwish-hame parilok aur baki anya lok sirf bhatkane ke liye banaye hain usne.jabki khud yaha dharti lok me maze se rajnandini ke sath rah raha hai.

Azgar-maine soch liya hai ki mujhe ab kya karna hai.?

Udhar pari lok me...
 
[color=rgb(184,]UPDATE-114[/color]

Azgar-hmmmm..devtao ne chhal kiya hai mere sath..mera kawach todne ke baad bhi adirishi ab tak jinda kaise hai.? Avashya devtao ne mere khilaf koi sazish rachi hai.lekin unhe malum nahi ki mera naam bhi azgar hai jo apne shikar ko poora nigal jata hai.

Kilwish-hame parilok aur baki anya lok sirf bhatkane ke liye banaye hain usne.jabki khud yaha dharti lok me maze se rajnandini ke sath rah raha hai.

Azgar-maine soch liya hai ki mujhe ab kya karna hai.?

Udhar pari lok me...

Ab aage.....

Pari lok me sonalika ki halat me ab tak koi khas sudhar nahi aaya tha kintu pahle se kuch behtar thi.rajnandini ki vajah se chamatkarik raj singhasan aur mukut phir se pari lok ki shobha badhate huye uski suraksha me sakriya ho chuke the.

Kilwish apne mansubo me nakamyab hone ke baad ek bar phir se sonalika ko hasil karne ki firaq me yojna taiyar karne laga.iske nimitt usne apni shakti badhane ke liye tapasya karne ka vichar kiya...tapasya karne jane se pahle usne apne sabhi numaindo ko bula kar ekattha kiya.

Kilwish-main kuch samay ke liye tapasya karne ja raha hu....tab tak tum log dharti par andhera phailate raho.. isme...akaal aur bakaal ke sath sath jaykal. damdami aur jhinga lala tumhari sahayta karte rahenge...ab jao aur dharti me har jagah andhera phaila do.

Damdami-aisa hi hoga...tamraj kilwish

Kilwish-ab jao...Andhera Kayam Rahe...

Jaykal-andhera kayam rahega..tamraj kilwish

Iske baad vah kisi agyat sthan par tapasya karne hetu chala gaya..jabki azgar ne apna pap aur anachar ka samrajya sudridh karne ke liye saato loko par apne shaitani sainiko ko laga diya.

Idhar dharti me rajnandini jab neend khulne par mere kamre me aayi to usne mujhe aur chitra ko ek sath guttham guttha ho kar poornatah nagn avastha me ek dusre se chipak kar sote huye dekha to uska mood kharab ho gaya..

Kintu jis ladki ne apne prem ko pane ke liye itne varsho tak intazar kiya ho to uska apne prem par vishwash itna kamjor to nahi ho sakta ki ankho ko kuch dikhayi dene matra se apne premi par se uska vishwash dagmaga kar ek hi jhatke me toot kar kaanch ke shishe ki tarah bikhar jaye.

Aisa hi kuch rajnandini ke sath bhi tha.chitra ko mere sath iss halat me dekh kar uska mood kharab to jarur hua kyon ki aaj itne varsho ki lambi judayi ke baad vo apni dhadkan, apni jaan apne rishi se mili thi kintu iss samay aisi avastha me use khud ko hona chahiye tha, vaha uski jagah aisi halat me chitra thi.

Chitra ke vishay me abhi usko aur baki kisi ko bhi asliyat pata nahi thi siwaye khatra aur agni ke.isliye use ashcharya to avashya hua usko aise mere sath sote dekh kar.phir apne aap par gussa karti huyi mujhe aur chitra ko disturb kiye bina chupchap dukhi ho kar vaha se vapis lout gayi.

Jo tadap rajnandini ke dil me thi mere sath do pal bitane ki vaisi hi sabhi apne apne dilo me sanjoye huye thi.. raj nandini ke jate hi agni uth kar aa gayi.chitra ko nangi dekh kar dimag to uska bhi bahut kharab hua magar kahi main usse phir se naraz na ho jau ye soch kar bechari mann masos kar rah gayi vaise bhi mujhse shadi hone ke itne saal baad to maine usko apni patni swikar kiya tha.isliye vah bhi chupchap mann hi mann me chitra ko galiya dete huye vaha se lout gayi.

Agni ke lout jane ke baad mummy (urmila) aur unke piche piche maa (megha) bhi aa gayi.mummy mujhe uthane ke liye jaise hi darwaje ko knock karne ke liye hath lagaya to vah khul gaya.to unhone samjha ki rajnandini uth gayi hogi tabhi door andar se lock nahi hai.

Ye soch kar vah andar aa gayi lekin jaise hi chitra par nazar padi to shocked ho kar turant bina kuch ek bhi shabd bole ulte paon room se bahar nikal ke darwaja tika di.bahar nikalte hi vo megha se ja takrayi jo ki room me hi aa rahi thi.mummy ko itna jaldi bahar aate dekh vo bhi hairan ho gayi.

Megha (hairan)-didi, kya hua.? Aap bahut jaldi bahar aa gayi.kya hamara beta abhi so raha hai..?

Urmila-haan, vo so raha hai aur tum bhi abhi andar mat jana.

Megha-mujhe to kewal usko dekhna hai bas..use jagaungi nahi..

Urmila-nahi manna to ja yahi darwaje ko thoda sa khol ke dekh le.bhitar mat jana..

Megha-theek hai didi..

Megha ne jaise hi darwaja khol ke dekha vaise hi turant band kar di.unke chehre par bhi hairani ke bhav the..unki samajh me ab ye aa gaya tha ki uski didi kyo use andar jane se mana kar rahi thi..

Megha (shocked)-Ye rishi, iss ladki ke sath kyo hai.? Agar ye yaha hai to Rajnandini kaha hai.?

Urmila-vo to bechari raat me shree ke paas thi..shayad vahi uski ankh lag gayi hogi.ye to achcha hua ki vo nahi aayi warna bechari ko bahut dukh hota ye dekh kar.vaise bhi vo pahle se hi dukhi hai..

Megha-lekin ye to chitra hai na.? ye yaha kya kar rahi hai aur vo bhi nagdi padi huyi hai.ye to bahut besharm hai.andar se darwaja tak nahi band kiya.iss baat ka bhi darr nahi ki koi bhi dekh sakta hai.aur to aur , chitra to hamari bahu bhi nahi hai..phir kyo.?

Urmila-aisi halat me dekhne ke baad bhi puch rahi ho ki vo kya karne aayi hogi.? hamara adii bahut bigad gaya hai.saat saat biwiya hain uski ab.itne se bhi uska mann nahi bhara jo ye chupke chupke private me aathwi bhi bana rakhi hai.

Megha-haan didi, vo to badhiya hua ki hamare alawa baki kisi ne nahi dekha warna abhi maha bharat shuru ho jati.lekin ab kya kare.agar hamari bahuo me se koi aa gayi yaha to.?

Urmila-aisi halat me unhe kuch bol bhi to nahi sakte.chal yaha se..

Unn dono ke jane ke baad shree aayi.usne to chitra ko maarne ke liye danda tak utha liya tha kintu phir usko apni pichli galti dhyan aate hi irada badal diya aur udas mann se vapis chali gayi.

Akhiri me margret aayi.chitra ko iss halat me mere sath dekh kar uska rom rom jhanna gaya.vo turant gusse me palat kar kitchen me ja ke gas me chimta garam kiya aur phir room me aate hi chitra ke pichwade par jaldi jaldi uss garam chimte se maarne lagi.iss achanak hamle se chitra ghabra gayi aur dard me jor jor se chillane lagi.

Chitra (chilla kar)-aaaahhhh..marr gayiiii..bhago..bhagoo.aag lag gayiiii

Uske aise chillane ki awaz se meri bhi neend khul gayi.maine jaise hi khud ko aur chitra ko dekha to shocked rah gaya..jabki udhar chitra chillate huye turant adrishya ho gayi aur margret se apna picha chhuda kar apna pichwada bachaya..main margret ke gusse ka karan bhi samajh gaya tha.

Jaldi se maine apne kapde pahne.tab tak vaha sab a gaye..chitra ki awaz se...chitra to vaha nahi dikhi kisi ko..lekin margret ke hath me garam lal chimta dekh kar sabhi samajh gayi ki yaha abhi kya hua hoga aur chitra ke chillane ki vajah bhi...

Chitra (adrishya, gusse se mann me)-ruk aate ki bori..batati hu tujhe.aaj raat me sona bhar tu..phir dekh kaise tera pichwada lal, kala, peela karti hu main..

Margret meri taraf dekh kar udas mann se mushkurayi aur vapis chali gayi..uske jate hi baki sab bhi jaise aaye the vaise hi lout gaye..to maine chitra ko bulaya..

Adii-kya harkat thi ye..?

Chitra-harkat aur maine.? Jo kiya tumne kiya aur naam mera laga rahe ho.?

Adii-kya matlab... ?

Chitra-main to chupchap niche so rahi thi...lekin raat me tumhe pata nahi ki achanak kya hua.. ?

Adii-kya hua.?

Chitra-tum na.vo neend me hi rajnandini..rajnandini chillane lage.maine tumhe hila kar utha ke puchna chaha ki kya ho gaya hai...to pata hai ki tumne kya kiya phir... ?

Adii (dil dhak dhak)-kya kiya maine.... ?

Chitra-phir tumne na.....

Adii-ha, bol kya kiya maine... ?

Chitra-tumne na..vo...mujhe batane me sharam aati hai...

Adii-saaf saaf bol.....mera bp mat badha .....

Chitra (sharmate huye)-phir tumne na....rajnandini ke dhokhe me mujhe apne upar khich liya aur jabardasti mere kapde utar diye..aur phir mere mana karte karte..tumne na....merri izzat loot kar...mujhe kahi ka nahi chhoda...

Adii (shocked)-aaa....kyaaaaaa.... ? lekin mujhe to aisa kuch bhi yaad nahi hai...

Chitra-hmmm....vo sab main nahi janti...ab to main bhi tumhari biwi ban gayi...mujhse shadi kab karoge... ?

Adii (shocked)-kyaaa shadiii...aur tumse..... ?

Chitra-hmmm.kyo.kya kami hai mujhme.?

Adii-nahi..ye nahi ho sakta.bhala kahi admi aur chudail ki bhi shadi hoti hai kabhi.? Aur vaise bhi pahle se hi mere sir par saat saat biwiyo ka bojh hai..ye shadi vadi sab bhool jao tum..

Chitra-to kya hua.? Jaha saat biwi hain, ab aath ho jayengi.

Adii-nahi..vo sab bhool jao..ye sab tumhara natak hai..

Chitra-meri izzat loot kar mujhe kisi ke muh dikhane layak tak nahi chhoda aur kahte ho ki main sab bhool jau..upar se kahte ho ki natak hai..

Adii-maine aisa kuch bhi nahi kiya jaisa ki tum kah rahi ho..vaise bhi tumhara muh pahle se hi darawana hai to kisi ko na dikhane layak chhodne ka sawal hi paida nahi hota.

Chitra-to theek hai, main ab mummy ji se hi baat karungi.

Adii-kya kahogi mummy se.?

Chitra-Jo sach hai vahi kahungi.tumhari tarah jhuth nahi bolungi.aur ye bhi mat bhulo ki tumhe shaktiya jan kalyan karne ke liye mili hain.ab mujhse shadi kar ke mera bhi kalyan kar do..

Adii-bahut ho chuka ye jan kalyan.ab koi kalyan nahi hoga.

Chitra-to main jau mummy ji ke paas..?

Adii-vo tumhari baat ka yakin hi nahi karengi.

Chitra-vo sab main dekh lungi..main ja rahi hu mummy ji ke paas...vaise mummy ji ne sabse pahle subah hi sab kuch dekh chuki hain jab vo yaha tumhe uthane aayi thi.main chali..

Adii (shocked)-kyaaaaaa..? Ye..ye.ruk..rukkk..ohhh shit.chali gayi ye..ab pata nahi mummy ko kya kya ulta sidha batayegi..? Vo to achcha hua ki rajnandini, shree aur agni ne nahi dekha kuch bhi..
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 115[/color]


Adii-bahut ho chuka ye jan kalyan.ab koi kalyan nahi hoga.

Chitra-to main jau mummy ji ke paas..?

Adii-vo tumhari baat ka yakin hi nahi karengi.

Chitra-vo sab main dekh lungi..main ja rahi hu mummy ji ke paas...vaise mummy ji ne sabse pahle subah hi sab kuch dekh chuki hain jab vo yaha tumhe uthane aayi thi.main chali..

Adii (shocked)-kyaaaaaa..? Ye..ye.ruk..rukkk..ohhh shit.chali gayi ye..ab pata nahi mummy ko kya kya ulta sidha batayegi..? Vo to achcha hua ki rajnandini, shree aur agni ne nahi dekha kuch bhi..

Ab Aage...

Urmila aur megha ek room me baithi aapas me baate kar rahi thi tabhi unhe apne room ke bahar kisi ke rote huye sisakne ki awaz sunayi di, jisko sun kar dono chounk gayi.

Megha-didi, lagta hai ye kisi ke rone ki awaz hai.?

Urmila-mujhe bhi aisa hi lag raha hai..chalo chal kar dekhte hain ki koun hai..?

Megha aur urmila dono bahar aa jati hain to jo awaz unhe apne room ke bahar sunayi de rahi thi vahi ab kitchen se aati mahsoos hone lagti hai, to dono udhar hi kitchen ki taraf chali jati hain.

Megha (chounk kar)-didi, ye to chitra hai..! Kintu ye kyo ro rahi hai.kya ho gaya hai isko achanak.?

Urmila-usse hi puchte hain.aa jao.

Urmila-chitra beti... ! kya hua, tum yaha ro kyo rahi ho.... ?

Megha-kisi ne kuch kaha kya tumhe... ?

Chitra-kuch nahi maa ji....bas ankh me kachra chala gaya tha....

(asal me hua ye tha ki adii ke room se nikal kar chitra urmila ke room ke darwaje ke paas ja kar jor jor se sisakne lagi jisse dono ko sunayi de jaye...aur jaise hi dono uske sisakne ki awaz sun kar bahar aayi to vah bhag kar kitchen me aa gayi)

Urmila-bata beti baat kya hai... ? tumne mere adii ko dubara mujhse milaya hai...main teri ehsaan mand hu...main tera ye karz kabhi nahi chuka sakti beti...

Megha-batao chitra akhir tum ro kyo rahi ho yaha akele akele kitchen me.... ? tum bhi hamari beti jaisi hi ho.. batao beti..

Chitra (rote huye)-main ab kya batau maa ji.main apni taklif bata kar kisi ko dukh nahi dena chahti.main aaj hi yaha se chali jaungi..jane anjane agar mujhse koi bhool ho gayi ho to mujhe aap sab maaf kar dijiyega.

Urmila (gale se laga kar)-na beti na..rote nahi hain..tu to meri achchi beti hai..tu kahi nahi jayegi, yahi rahegi hamare paas..chal bata kya baat hai..?

Chitra (sisakte huye)-kaise batau apko.? Khair jane dijiye...shayad yahi meri kismat me likha tha...

Megha-kya apni maa ko bhi apne dil ki baat nahi batayegi beti... ?

Chitra (sisakte huye)-kya kahu maa ji... ? main to kisi ko muh dikhane ke kabil nahi rahi...main barbad ho gayi..

Urmila-hua kya..ye to bata pahle.... ?

Chitra (sisak kar)-rahne dijiye maa ji..sun kar apko vishwash nahi hoga.

Megha-tu bata to pahle.

Chitra (rote huye)-aap kah rahi hain to bata deti hu.....raat me adii ne..(phir rone lagti hain muh chhupa kar dono hatho se)

Megha-kya kiya hamare bete ne... ?

Chitra (rote huye)-adii ne raat me..rajnandini didi ke dhokhe me....meri ..izzat.loot li..ab koun mujhse shadi karega..main ab kahi ki nahi rahi...ab suicide karne ke alawa mere paas koi chara nahi hai.

Urmila-lekin tum raat me adii ke room me kya karne gayi thi..?

Chitra (mann me)-Ye to maine socha hi nahi..? Ab kya bolu.? Jaldi soch chitra..warna tu adii ko kabhi nahi pa sakegi..kuch soch jaldi..

Megha-bata beti..itni raat me tum gayi hi kyo vaha..?

Chitra-adii ji raat me rajnandini didi ko awaz de rahe the..main unki awaz sun kar rajnandini didi ko shree ke room me bulane gayi to vah so rahi thi shree ke sath..isliye main adii sahab ke room me gayi yehi batane ke liye.. unhone samjha ki main rajnandini hu aur phir mujhe pakad liya..aur mere sath...(phir rone lagti hai)

Megha (kaan me)-didi, mujhe to chitra ki baat sahi lagti hai.akhir hamne bhi to dono ki jis halat me dekha hai use dekhne ke baad iski baato me vishwash na karne ki koi vajah nahi lagti mujhe..

Urmila (dhire se)-hmmm.baat to teri theek hai choti.lekin main pahle hi ek bar apne adii ki baato par yakin na kar ke dhokha kha chuki hu.doodh ki jali billi dahi ko bhi phoonk phoonk kar peeti hai.isliye adii ke muh se sach sunna chahungi main.tabhi kuch kah sakti hu..

Megha-adii ne jab subah rajnandini ki jagah tumhe apne paas dekha hoga tab usne kuch nahi kaha tumse.?

Chitra-kaha na, jaise aap chounk gayi meri baat sun kar vaise hi vo bhi chounk gaye the.phir jab maine unse kaha ki ab aap hi mujhe apne pairo me thodi jagah de dijiye kyon ki aur kisi ke layak to main rah nahi gayi ab to unhone saaf saaf mana kar diya.kahne lage ki meri pahle se hi itni biwiya hain ki main unse hi pareshan hu.tumhe nahi apna sakta.aur yaha tak kaha ki vo mujhe yaha se bahut door kisi dusre desh me chhod ayenge..

Urmila-kya aisa kaha adii ne..?

Chitra (sisakte huye)-haan, maa ji mera kya hoga....ab to main adii ke bachche ki maa bhi banne wali hu...main kaha jaungi aise me... ? mujhe yahi ghar ke kisi kone me thodi si jagah de dijiye....main aap sab ki naukarani ban ke rah lungi...

Dono (shocked)-kyaaaa maa banne wali ho....ek hi raat me.... ?

Megha-aisa kaise ho sakta hai.? Ek hi raat me koi kaise pregnant ho sakti hai..?

Chitra (mann me)-lagta hai ki maine phir se bina soche samjhe hi kuch bol diya...

Urmila-ye to mumkin hi nahi hai ki koi do char ghante me hi pregnant ho jaye...

Chitra (rote huye)-mujhe ek sadhu ne ashirwad diya tha aur kaha tha ki jo mere sath pahli bar karega main ek bar me hi uske bachche ki maa ban jaungi...aap chahe to kisi doctor se check karwa lijiye mujhe.tab apko bhi vishwash ho jayega ki main sach bol rahi hu ya phir jhuth..

Urmila-theek hai beti main adii se baat karungi.aur tumhe kahi jane ki jarurat nahi hai..

Chitra-theek hai maa ji..aap kahti hain to main kuch din ruk jati hu.ab meri kismat ka faisla aap ke hi hatho me hai.aap jaisa kahengi vaisa hi karungi main.

Chitra ko samjha kar dono apne room me lout gayi.unke jate hi chitra khush ho gayi.akhir usne apni baat dono ke samne rakh hi di thi..ab bachi thi to kewal rajnandini jisko apne vishwash me lena tha..

Chitra (mann me)-inn dono ka kaam to ho gaya..ab dekhti hu ki adii kaise mujhe apni biwi nahi banata.? Lekin abhi bhi rajnandini didi baki hain.mujhe unko bhi apni taraf karna hoga.phir uss aate ki bori ko maza chakhaungi garam chimta maar maar ke mera poora pichwada lal kar diya usne.

Ye soch kar vo coffee le kar rajnandini ke paas chali gayi shree ke room me..jaha rajnandini bistar me baithi kuch soch me doobi huyi thi.chitra ko dekh kar use subah ka sara scene ankho ke aage yaad aa gaya.

Chitra-didi coffee..

Rajnandini-tum kyo layi ho..?

Chitra-mujhe karne dijiye didi.apki seva karna mujhe achcha lagta hai..

Rajnandini-tumhari ankhe kyo suji huyi hain.? Aisa lagta hai jaise ki ro rahi thi.

Chitra-jane dijiye didi, meri kismat me to ab rona hi likha hai to kya kar sakti hu main.?

Rajnandini-aisa kyo kah rahi ho tum.?

Chitra-bas didi apni apni kismat hai..khair aap chhodiye ye sab aur coffee pijiye..main chalti hu.

Rajnandini-ek minute chitra, rukna jara..mujhe tumse kuch puchn hai.

Chitra (sir jhuka kar)-ji didi, puchiye.

Rajnandini-dekho chitra, jo main puchne wali hu, mujhe uska sach sach jawab chahiye.jhuth bilkul bhi nahi.samajh gayi tum.?

Chitra-ji didi..

Rajnandini-tumhara rishi se kya sambandh hai..?

Chitra-ji...vo mere malik hain hain...

Rajnandini-malik.. ! hmmm......tum raat me rishi ke room me kya kar rahi thi.... ?

Chitra (chounk kar)-jiiii...kuch nahi...kuch bhi to nahi..didi

Rajnandini-dekho chitra, sach main apni ankho se aaj subah dekh chuki hu....aur maine tumhe sach batane ko kaha hai...jhuth bilkul bhi nahi.....tum nahi bhi bataogi tab bhi main rishi se puch hi lungi aur rishi mujhse kabhi jhuth nahi bolega...samajh gayi....to tumhare liye yahi behtar hai ki sab sach sach bata do...

Chitra (pair pakad ke roti huyi)-mujhe maaf kar do didi....jo bhi hua usme meri koi galti nahi hai aur isme sahab ki bhi galti nahi hai kuch bhi....jo kuch unhone raat me mere sath kiya sab anjane me hua...

Rajnandini-kaise anjane me chitra... ?

Chitra-asal me didi, baat ye hai ki main adii se bahut pyar karti hu...lekin vo mujhe apnane ko taiyar hi nahi hain.. raat me ..(phir vahi kahani batane lagi jo urmila aur megha ko batayi thi)....ab aap hi bataiye didi isme adii ki kya galti hai... ? unhone jo bhi kiya mere sath vo sab apke dhoke me kiya...maine unhe rokna chaha lekin unka mood dekh kar main bhi unke sath hi bahti chali gayi....ab mera kya hoga didi... ? mujhe bhi apne inn pairo me thodi si jagah de do...kisi kone me padi rahungi..

Rajnandini-jo kuch tumne bataya, kya vo sach hai... ?

Chitra (rote huye)-haan didi, yahi sach hai..maine adii se kayi bar pyar ka izhar kiya lekin unhone mere pyar ko thukra diya ye kah kar ki vo sirf aap se pyar karte hain baki sab to majburi me meri biwi bani hain..jaha saat hain to ek aur hone me kya bigad jayega didi.? Main adii ke bina nahi jee sakti didi.

Rajnandini-kya tum sach me rishi se sachcha pyar karti ho..?

Chitra-haan didi.main adii ko bahut chahti hu.lekin vo apke siwa kisi ko nahi chahte.mujhe to bilkul bhi pasand nahi karte hain..

Rajnandini-theek hai tum jao.agar tumhara pyar sachcha hoga to tumhe tumhare hisse ka pyar jarur milega.. main rishi se baat karungi.

Chitra-theek hai didi.ab apki iss choti bahan ki kismat ka faisla sirf apke hi hatho me hai didi.

Rajnandini-theek hai tum ab jao..

Chitra (mann me)-ye kaam bhi ho gaya.ab chal ke thoda uss aate ki bori ko maza chakhti hu.

Chitra sidhe margret ke room ki taraf chali gayi aur rajnandini. Adii se milne uske room ki taraf
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 116[/color]


Rajnandini-theek hai tum jao.agar tumhara pyar sachcha hoga to tumhe tumhare hisse ka pyar jarur milega.. main rishi se baat karungi.

Chitra-theek hai didi.ab apki iss choti bahan ki kismat ka faisla sirf apke hi hatho me hai didi.

Rajnandini-theek hai tum ab jao..

Chitra (mann me)-ye kaam bhi ho gaya.ab chal ke thoda uss aate ki bori ko maza chakhti hu.

Chitra sidhe margret ke room ki taraf chali gayi aur rajnandini. Adii se milne uske room ki taraf

Ab aage..

Adii bistar me ankh band kar ke leta hua tha..tabhi rajnandini uske room me entar huyi.usko sote dekh kar vah uske paas baith gayi aur pyar se chehre ko dekhne lagi.

Rajnandini-rishi ab uth bhi jao.kab tak sone ka natak karte rahoge.? mujhe pata hai ki tum jaag rahe ho.

Rajnandini ki baat sun kar rishi ke hotho par mushkan ubhar aayi aur usne rajnandini ko pakad kar apne upar khich kar usko apni bahupash me jakad liya.

Rajnandini-chhodo na rishi.lagta hai ki raat ki khumari ka nasha abhi tak utra nahi hai tumhara.?

Rishi-ye nasha to sirf tumhe dekh kar hi hota hai nandini.poori raat tumhara intazar karta raha phoolo ki sez saja kar lekin tum aayi hi nahi to mujh par khumari ka nasha bhala kaha se chadhega.?

Rajnandini-achcha ji, to phir raat bhar kamre ke andar ek hi bistar par nirvastra haalat me tum chitra ke sath, koun sa jan kalyan ka kaam kar rahe the..?

Rishi (shocked)-tumhe kaise malum.?

Rajnandini-kyon ki main tumhare paas aayi thi aur sab kuch apni ankho se dekha hai maine.

Rishi (tension)-kya dekha hai..?

Rajnandini-tum dono ke hi badan me kapde nahi the aur chitra tumhare upar vaisi hi bina kapdo ke so rahi thi.. lagta hai ki raat bhar tumne uska khoob kalyan kiya hai.tabhi to vah bechari aaj langda langda kar chal rahi hai. Dekho ab ye mat kahna ki ye mera vaham hai kyon ki chitra ne mujhe sab kuch bata diya hai.

Rishi (full tension)-kya bata diya hai tumhe uss kambakht ne.?

Rajnandini-vahi jo tumne poori raat kiya uske sath..

Rishi (tension)-kya bataya usne.kya kiya hai maine uske sath.?

Rajnandini-yahi ki raat me jab tum mujhe pukar rahe the to vah tumhare room me ye batane aayi thi ki main shree ke sath so gayi hu.magar tumne chitra ko mere dhokhe me pakad liya aur phir poori raat uske sath muh kala karte rahe.

Rishi (mann me)-satyanash ho iss chudail ka..isne mujhe kaha fasa diya.ab kya karu.? Iss chudail ne mera ghar basne se pahle hi ujaad diya.

Rishi-dekho nandini.usne jo bhi kaha sab jhuth tha.. tumhare sir ki kasam kha kar kahta hu ki maine uske sath kuch bhi nahi kiya hai.

Rajnandini-to phir kya kiya hai uske sath raat me yahi bata do.?

Rishi-(phir maine rajnandini ko raat ki sari ghatna bata diya sath me chitra ki sachchayi bhi)..bas yahi sach hai

Rajnandini (hairan)-kyaaaa.chitra ek aatma hai..vo chudail hai.?

Rishi-hmmmm.main to bas uski mukti ke liye sath me rakha hai.jaldi hi main usko iss yoni se mukt karne ke liye uske gaon jaunga.

Rajnandini-to usne mujhe ye kahani kyo sunayi.? Aur ye bhi kyo kaha ki vo tumse bahut pyar karti hai.?

Rishi-vo mujhse bhi ye kah chuki hai.lekin maine uski baat maanne se inkar kar diya tha to shayad isliye hi usne mere sath aisa natak racha jisse sab ko uski baat par yakin ho jaye aur uski shadi mere sath ho jaye.

Rajnandini-lekin ye kaise sambhav hai.? Ek chudail se shadi kaise ho sakti hai... ? aur dekha jaye to shadi to tum usse kar hi chuke ho..yaha tak ki uske sath suhagrat bhi mana chuke ho.. aaj se paanch saal pahle hi to iss hisab se vah tumhari biwi hi huyi..

Rishi-main vahi to usko raat me samjha raha tha lekin vo samajhne ko taiyar hi nahi hai.bas apni jid par adi hai..vo sabke samne shadi karna chahti hai...

Rajnandini-ye to sach much badi dikkat hai.main bhi usko vachan de baithi hu, uski baato me aa kar..theek hai, main baat karungi usse.

Rishi-nandini, main tumhe kuch aur bhi batana chahta hu.

Rajnandini-kya.?

Rishi-radha aur priyamvada ke baare me.

Rajnandini-radha aur priyamvada... ? ye dono koun hain... ?

Rishi-(phir maine radha aur priyamvada ke vishay me sab kuch bata diya)..

Rajnandini-theek kiya tumne jo dono ke prem ko swikar kar liya....pari lok kab chalna hai.. ? vaha ka singhasan khali hai...aur sonalika ki tabiyat bhi bahut kharab hai apni galti ka ehsaas hone ke baad...usko bhi maaf kar do ab bahut saza pa li usne...

Rishi-kyaaa... ? shayad tum janti nahi ki usne kya kiya mere sath... ?

Rajnandini-haan, main sab jaan chuki hu..aur vaise bhi vo dust kilwish uske piche hi pada hua hai ab tak...usko kshama kar do meri khatir..

Rishi-aisa bhi kabhi hua hai ki main tumhari baat na maanu..tab to jaldi hi jana padega vaha...

Udhar chitra jab margret ke room me gayi to Margret bathroom me naha rahi thi uss samay..chitra ne adrishya rahte huye jab ye dekha to uske dimag me turant hi ek khurapati kida kulbulane laga..

Chitra (mann me)-ab ayega maza..iss aate ki bori ko maza chakhati ab..Sali ne kitni jor jor se meri gaand me garam chimta mara tha ki abhi tak vaha jalan ho rahi hai.

Usne ek nakli saanp ko margret ke upar phenk diya..margret ne jaise hi apne upar kisi cheez ke girne ka ehsaas kiya to usne usko hath me pakad liya aur phir hath me pakadi huyi cheez par drishti padte hi uski saans gale me hi atak kar rah gayi..poore badan me darr aur khauf ki sihran daud gayi.

Margret ne jaldi se usko phenka aur bathroom ka darwaja khol kar darr aur khauf ke karan jor jor se chillate cheekhte huye nagn haalat me hi room se badi hi tezi se bahar bhagi.

Margret (chillate huye)-aadiiiii...bachaaaooo...aadiiii..saanp ne kha liyaaaa.adiiii..bachaaaoo

Margret chillate huye sidhe nang dhadang haalat me aadi ke room ki taraf bhagi..uske chillane ki awaz sun kar adii aur rajnandini ke alawa urmila, megha, agni, shree, deepa, saroj ye turant apne apne room se bahar nikal aaye.aur phir margret ko aise nang dhadang haalat me dekh kar vo sabhi chounk gayi.vo to shukar tha ki koi gents abhi tak room se bahar nahi aaya tha adii ko chhod kar.

Megha (shocked)-didi..! Ye margret aise nangi pungi ho kar kyo chilla rahi hai.?

Urmila-ye to adii ke room ki taraf ja rahi hai.agar kisi aur mard ne isko aisi haalat me dekh liya to hamari naak kat jayegi..chal jaldi se isko pahle kapde pahanne ko bol.

Megha-lo didi..hamara beta khud hi bahar aa gaya.ab kaise bolu usko.?

Urmila-mujhe to lagta hai ki isko pagalpan ka daura phir pad gaya hai..!

Adii ne jaise hi margret ko aisi haalat me dekha aur usko andaza hua ki uski dono maa bhi uski hi taraf aa rahi hain to vah sharma kar turant apne room me ghus gaya.shree ne turant uska hath pakad kar apne room ke andar khich liya.

Shree (gusse se)-margret..! Ye kya behudgi hai.? Aur tum chilla kyo rahi ho gala faad faad ke.? Kapde utar kar aise nangi pungi ho kar room se bahar aate huye Tumhe itni bhi sharam aur khyal nahi aaya ki iss ghar me aur bhi mard hain..?

Margret (ghabrayi huyi)-shree didi.vo.vo.mujhe saanp.saanp ne kha liya...

Urmila (shocked)-kyaa. saanp ke kha liya...?

Chitra-shree didi, lagta hai ki isko jaldi se doctor ke paas le chalna chahiye.kahi jahar poori body me na phail jaye.

Chitra ko vaha dekh kar shree ka dimag aur bhi kharab ho gaya.usko subah ki ghatna yaad aa gayi.vo gusse me chitra ko ghur ghur kar dekhne lagi.kintu sab ke samne kaha kuch nahi.mann masos kar rah gayi.

Margret-nahii.nahii.vo adii ke paas powers hain na vo theek kar dega.

Megha-ye bhi theek hai.

Shree (gusse me)-pahle kapde pahan ja kar.

rajnandini-beti, vo bhala kaha jayegi aise dard me, tu hi pahna de kapde usko.main rishi ko bulati hu..

shree-theek hai...(dhire se) maa..

Chitra-lekin kapde utare kyo isne.? Isko dekh kar to mujhe nahi lagta ki saanp ne kaata hoga, warna aap log hi sochiye.saanp ke kaatne ke baad kya ye aise sahi salamat khadi hoti ab tak.?

Margret (shocked)-kapde...nangi.... ?

Margret ne chounk kar apne aap ko dekha Tab kahi usko apni haalat ka pata chala....laaz aur sharam se vah gad gayi aur turant bed par pada chadar utha kar apne badan me lapet liya.

Shree (dimag garam)-batati kyo nahi ab besharam ki tune kapde kyo utare apne... ?

Margret (sharmate huye)-vo main bathroom me naha rahi thi ki tabhi na jane kaha se ek saanp mere upar kud gaya aur phir main darr kar vaha se bhag nikli..

Chitra-iska matlab ki kisi saanp vaanp ne nahi kata isko... Upar se ye nangi ho kar adii ke paas ja rahi thi.mujhe to daal me kuch kala lag raha hai....

Margret (mann me)-Sali randi....khud to mere adii ke sath gul chharre uda rahi thi nangi ho kar poori raat bhar.. aur galat mujhe kah rahi hai.aaj raat jab so jayegi tab maza chakhaungi tujhe main.
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 117[/color]


Margret (sharmate huye)-vo main bathroom me naha rahi thi ki tabhi na jane kaha se ek saanp mere upar kud gaya aur phir main darr kar vaha se bhag nikli..

Chitra-iska matlab ki kisi saanp vaanp ne nahi kata isko Upar se ye nangi ho kar adii ke paas ja rahi thi.mujhe to daal me kuch kala lag raha hai....

Margret (mann me)-Sali randi....khud to mere adii ke sath gul chharre uda rahi thi nangi ho kar poori raat bhar.. aur galat mujhe kah rahi hai.aaj raat jab so jayegi tab maza chakhaungi tujhe main.

Ab aage...

Rajnandini ne mujhe bataya ki margret ko saanp ne kaat liya hai to main turant hi uske sath margret ke paas chala gaya.rajnandini ne sabko bahar bhej diya room se.maine margret ko har jagah check kiya lekin mujhe uske jism par kahi koi aisa saanp ke kaatne ka nishan nazar nahi aaya jisse usko saanp ke kaatne ki pusti ho sake..to maine apni ankhe band kar ke dhyan lagaya to sari haqiqat mere samne ujagar ho gayi jo kuch vastavikta me ghatit hua tha.

Adii-tumhe kisi saanp ne nahi kaata hai.ye sab chitra ki shararat thi.

Margret-lekin maine, khud apni ankho se saanp ko dekha hai.

Adii-tumne jis saanp ko dekha tha vo nakli tha..haqiqat me saanp kaat leta to abhi tak mere samne yu jinda khadi nahi hoti..

Margret (gussa karte huye)-uss chitra ki bachchi ko main chhodungi nahi.

Rajnandini-tum kuch nahi karogi.main samjhaungi usko.

Iske pashchat main aur rajnandini apne room me aa gaye.thodi der me vaha dono maa ke sath baki sab bhi aa gaye..to maine unhe bata diya ki usko saanp ne nahi kaata hai sirf dekh kar darr gayi thi vah.halanki maine isme chitra ka kahi naam nahi liya.

Lekin margret ke mann me chitra se badla lene ka bhoot sawar ho gaya tha.usne din me na jane kaha se sutli wala bomb (patakha) kharid layi.

Poora din hum sab mil kar apne purane gile shikwe door karte rahe.nangu pangu apni biwiyo ko samjhane me vyast rahe.mere ghar vapis loutne ki khabar sun kar head office ke log bhi milne aaye.raat me papa ne ek party de rakhi thi mere aane ki khushi me.

Party me papa ne mujhe aur rajnandini ko sabhi ke samne introduce karaya..halanki mujhe to sabhi jante hi the. Rajnandini aur shree ko dekh kar sabhi hairan the.rajnandini bhi meri patni ke roop me samman pa kar atyant khush thi..halanki usko abhi tak shree ki dusri sachchayi (mujhse pyar karne wali) ke baare me kuch bhi gyaat nahi tha aur na hi kisi ne usko kuch bataya hi tha iss vishay par.

Anand-adii, inse milo, ye hain mr. & mrs. Malhotra.ye bhi kafi bade businessman hain yaha ke.inka ek poltry farm bhi hai yahi paas me.aur malhotra, mere bete ko to tum jante hi ho.ye hai meri bahu rajnandini.

Malhotra-barkhurdar, shadi bhi kar li aur bataya tak nahi.

Anand-jab mujhe aur apni maa ko nahi bulaya shadi me to tujhe kaha se bula leta.ab bula liya hai to kha le bhar pet.

Malhotra-bas yaar ab thoda farm house ghumne jaunga.

Anand-itni raat me kya karega vaha ja kar..?

Malhotra-kya batau yaar..do din se badi gadbad ho rahi hai vaha..poltry farm ki aadhe se jyada murgiya achanak hi gayab ho gayi.shaam tak sab theek tha, lekin raat me na jane koun chura le jata hai unko.?

Malhotra uncle ki baat sun kar maine chounk kar chitra ki taraf dekha jo ki hamare paas me hi khadi thi..to usne mushkura diya to main samajh gaya ki ye sab bhi iska hi kaam hai.

Khair party khatam hone ke baad sabhi sone ke liye chale gaye..rajnandini mere room me aa gayi.jabki shree asha bhari nazro se meri taraf dekhti rah gayi kintu vo chah kar bhi rajnandini ke samne kuch bhi apne dil ka haal kah sakne me khud ko poornatah asmarth pa rahi thi lihaja vah bhi nirash ho kar apne room me chali gayi.

Adii-ab aao na jaan, jane kab se main tumhare inn hasin hotho ka ras pine ke liye machal raha hu.ab mujhse raha nahi ja raha hai.aao ek baar phir se hum suman aur sugandh ki tarah ek ho jaye.

Rajnandini-bardast to mujhse bhi nahi ho raha hai rishi.lekin main swarthi nahi banna chahti..

Adii-kya matlab.? Tum meri biwi ho.isme swarth ki baat kaha se aa gayi.?

Rajnandini-rishi, biwi to tumhari agni bhi hai..main ye kaise bhool sakti hu ki aaj maine tumhe uski vajah se hi dubara paya hai..tumhari biwi hone ke baavjud bhi use aaj tak patni ka vo haq nahi mila jiski vo haqdar hai, phir bhi usne kabhi koi shikayat nahi ki..vo tyag ki prati murti hai.

Adii-maine use apni patni swikar to kar liya hai na..phir ab kya dikkat hai.?

Rajnandini-lekin ye duniya to nahi janti na ki vo tumhari patni hai.main chahti hu ki usko patni hone ka poora haq mile.main chahti hu ki aaj ki raat tum agni ke sath gujaro.tum uske dil ka dard nahi samjhoge, kintu main ek aurat hu, uske mann ki pida ko samajh sakti hu.itne saal shadi hone ke baad bhi uska kuwari rahna kya uchit hai.? Kal ko uske bachche honge to duniya unhe kya kahegi..? Usko bhi apni patni hone ka darza do rishi.main agni ki karz daar hu.

Adii-kintu.

Rajnandini-kintu vintu kuch nahi..kya meri itni si baat nahi manoge.usne mujhe apni badi bahan mana hai to kya main apni khushiyo ke liye uski khushiyo ka gala ghont du.? Kya ye karna mere swarthi hone ko nahi darshata hai.? Vo bechari ko to tumne kabhi apne seene se lagne tak ka bhi adhikar nahi diya.aaj usko uska haq de do rishi..tum yahi samajh lena ki agni ke roop me main hi bistar me tumhare sath hu.

Adii-jaisa tum theek samjho.magar kuch to inayat kar do apne iss deewane par.

"Har Shaam Kah Jati Hai Ek Kahani,
Har Subah Le Aati Hai Ek Nayi Kahani,
Raste To Badalte Hain Har Din Lekin,
Manzil Rah Jati Hai Vahi Purani."

Maine rajnandini ko pakad kar aalinganbaddh kar liya..aur uske adhro ka raspan karne laga.vah bhi nirvirodh meri agosh me simatti chali gayi.kuch pal ke iss chumban ne meri saanso ko tarotaza kar diya.aur mere sharir me rakt ka navin sanchar pravahit hone laga.

Iss kshanik premalaap ke baad rajnandini mere room se nikal kar agni ko uska haq dene ke liye chali gayi.kuch samay pashchat vah dubara mere room me aayi to uske sath agni bhi thi.bilkul lal jode me saji sanwri dulhan ka shringar kiye huye.agni ki palke jhuki huyi thi.aur uski dhadkan tezi se chal rahi thi.ek patni ko apne jeevan me jis pal ka sabse adhik intazar hota hai, vah pal bahut lambe intazar ke baad hi sahi, agni ke jeevan me aaj aa hi gaya tha.

Shayad iss vajah se bhi uske chehre par sharm aur haya ki lali chhayi huyi thi.nihsandeh agni behad khubsurat husn ki malika thi.maine usko patni ke adhikar se vanchit rakh kar uske sath anyay hi kiya hai aaj tak.lekin isme main bhi poori tarah se kasurwar nahi tha.mere hriday ko rajnandini ke atirikt kisi aur ko sthan dena swikarya hi nahi tha.

Aaj rajnandini ne khud hi agni ko apna bhagidar swikar kar liya tha to mera farz bhi usko manne par vivash ho chuka tha.main jaise jaise agni ki sundarta ko dekhne me khota ja raha tha, agni utni hi laaz aur sharam ke aavran me simti ja rahi thi.

Rajnandini-lo sambhalo apni dulhan ko.main apni beti shree ke paas ja rahi hu.mere jane ke baad jitna mann kare dekh lena agni ko har tarah se.

Agni (sharma kar)-didi, ruko na.mujhe darr lag raha hai..

Adii-nandini, tum bhi yahi ruko na.double bed hai..teen log bade araam se aa jayenge isme.

Rajnandini-Ji nahi.main agar yaha ruki to meri bahan laaz aur sharam se apni suhagrat ka poora anand khul kar nahi le payegi..aur agni meri bahan, isme darr kaisa..? yahi to ek ladki ke jeevan ka sabse hasin pal hota hai, jab vo apne priyatam ki baaho me hoti hai.ek ladki se aurat hone ka sukhad ehsaas pati hai.aur yahi sukhad ehsaas usko aage ja kar maa banne ka gaurav dilata hai.

Agni-aap theek kah rahi hain didi, lekin..

Rajnandini-daro nahi.., rishi, meri bahan ko jyada dard mat hone dena ..jo bhi karna, bade pyar se karna..main ab chalti hu.

Rajnandini vaha se chali gayi shree ke paas sone ke liye.maine uth kar darwaja andar se lock kiya aur agni ko bistar par le aaya....vahi margret ne jab dekha ki sab so gaye hain to vah chupke se uth kar vo sutli wala patakha liya aur pahuch gayi chitra ke paas...jaha vo gahri neend me thi.

Margret (mann me)-ab maza chakhati hu isko..bahut pareshan kiya hai isne mujhe aur sonalika ko..

Bas kya tha ye soch kar usne uss sutli wale bomb ko chitra ke dono pairo ke beech jaangho ke nikat rakha aur machis jala kar usme aag laga di..aag lagate hi fauran vaha se bhaag kar apne bed par let gayi aur dhamaka hone ka intazar karne lagi.

Idhar maine agni ko apni baaho me bhar kar uska ghoonghat uthaya hi tha ki tabhi...
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 119[/color]


Iske pashchat gurudev vishwamitra antardhyan ho gaye.maine aane wali amavashya ke din usko iss kasht daayak yoni se mukti dilane ka soch liya.

Raat me aaj bhi rajnandini ne apni jagah agni ko bhej diya.agni mera sanidhya pa kar kusumlata ki bhanti mahak uthi thi..agle din jab main bathroom se naha kar jaise hi bahar nikla vaise hi achanak koi mere seene se lipat kar rone lagi.

Ab Aage...

Kisi ke aise achanak lipatne se main bhi chounk gaya.lekin phir sisakne ki awaz sunte hi maine dekha to ye shree didi thi.main unke dil ki haalat achchi tarah se jaan chuka tha.

Adii-didi, kya baat hai.aap ro kyo rahi ho...?

Shree (sisakte huye)-main kya karu adii..? Mujhse ye doori sahan nahi ho rahi hai..tu sab ko unke hisse ka pyar de raha hai.lekin mera kya.? Jab bhi main tere paas aati hu to koi na koi tujhse chipki rahti hain, ye sab dekhne ke baad mere dil me kitna asahniya dard hota hai, ye main hi janti hu.

Adii-kyo, isme dard hone jaisa to kuch bhi nahi hai.kya aap ko apni maa, rajnandini se taklif hai.?

Shree (sisakte huye)-nahi.unse kyo taklif hogi mujhe.? Mujhe kisi se bhi tklif nahi hai.

Adii-to phir... ?

Shree (sisakte huye)-taklif mujhe tumse hai...tumhare paas sab ke liye time hai.....bas mere liye bhar nahi hai... akhir main kab tumhari biwi banungi.? Tum mere baare me maa se baat kyo nahi karte.... ?

Adii-dekho didi, jitna saral aap samajh rahi ho, ye utna easy nahi hai....kitne dukho aur intazar ke baad to rajnandini mujhe mili hai...main turant hi use ye sab bata kar usko phir se dukh ke gart me nahi dhakel sakta... dusra yaha samaj iss rishte ko kabhi swikar nahi karega.

Shree-to phir kab bataoge unhe.... ? aur kya mujhe bhi tere pyar ke liye pyasi hi rahna padega.?

Adii-abhi to main philhal chitra ki mukti ke liye uske gaon ja raha hu.vaha se loutne ke baad pari lok jana hai.. jo bhi hoga vahi hoga..hum sab pari lok me hi rahenge.

Shree-sach kah raha hai na..

Adii-hmmm

Shree-theek hai, main tak intazar kar lungi lekin mujhe bhi roj tera pyar chahiye bhale hi thoda hi sahi..aur main bhi tere sath chalungi jaha bhi tu jayega.

Adii-theek hai.

Uske baad kuch der tak hamare beech baate hoti rahi.phir dono ke vaha aa jane se hum dono ki baato me viraam lag gaya..dono mere paas aa kar baith gayi.

Urmila-kya baate ho rahi hain dono me.?

Adii-kuch nahi maa, didi thoda udas thi isliye main unhe samjha raha tha.

Megha-lekin beta, samaaj iss rishte ko kabhi nahi apnayega.

Adii-janta hu,.isliye maine faisla kiya hai ki ab hum sab pari lok me hi rahenge...

Phir maine dono ko chitra ke vishay me sab kuch bata diya...jise sun kar vo dono hairan ho gayi..sath me chitra ko le kar unke mann me thoda darr bhi lagne laga tha ye jaan kar ki vo ek chudail hai jo sirf khoon peeti hai.

Adii-darne ki koi baat nahi hai maa, chitra dil ki buri nahi hai....vah ek achchi aatma hai....bas jo dard aur taklif usne jheli hai aur dekhi hai, uske kaaran uska vyavhar aisa ho gaya hai.

Megha-tu sahi kahta hai...jo bhi hua uss bechari ke sath bahut galat hua hai....hum bhi chalengi tere sath...

Adii-lekin maa, vaha bahut khatra ho sakta hai...aur main aap ko kisi khatre me nahi daal sakta...

Urmila-main kuch nahi sunungi ab ki baar teri koi bhi baat....har baar apni manmani karta rahta hai...ye mera order hai..hum dono bhi tere sath hi jayengi..samjha..

Adii-theek hai mummy...agar aap ki yahi ichcha hai to yahi sahi...

Megha-kab jana hai.. ?

Adii-kal..

Shree-lekin mukti to amavasya ko hogi to phir itni jaldi kyo ja rahe ho.... ?

Adii-didi, vaha mujhe pahle se moujud sabhi aatmao ki mukti ka prabandh karna hoga warna vo chitra ko mukt nahi hone dengi aur ye kaam behad mushkil hai..vo buri aatmaye mujhe aisa karne se rokengi jarur, isliye pahle unhe thikane lagana hoga.

Baki ka din maine apne dosto ke sath bitaya....sab kuch janne ke baad vo sab bhi mere sath hi chalne ko kahne lage to maine unhe bhi haan kah diya.

Aaj raat me bhi rajnandini ne apni jagah agni ko hi mere paas bheja...maine agni ke prem ka niradar nahi kiya...vo sari raat meri baaho me lipti rahi aur mujhe apne youvan sukh ka anand deti rahi.

Agle din hum sabhi jane ke liye ready the...franklin, daniel, agni, mummy, maa, shree , deepa, saroj aadi sabhi dharti se bahar ek aloukik jagah par jane ke liye ati utsahit the....margret aur khatra to pahle bhi yaha aa chuke hain to unme utni vyakulta nahi thi..jabki to vahi rajnandini aur chitra ke chehre par chinta ke bhav the.... rajnandini ki chinta ka karan tha ki ye sab hoga kaise jab ki chitra, mujhse door hone ke darr se chintit thi.

Main sabhi ko le kar ek sunsan jagah par aa gaya aur neel mani ki madad se vaha ek dwar ban gaya...hum sab usme andar aa gaye...bhitar lal roshni ka ghera phaila hua tha...hamare andar aate hi darwaja band ho gaya...iss mani ke chamatkar ko dekh kar sabhi hairan the.

Kuch hi der me hum sab nikaal gaon me pahuch gaye....uss darwaje se bahar nikalte hi vah surang adrishya ho gayi vaha se...sabse pahle main uss budhi maa ki talash karne laga jo mujhe pichli bar yaha mili thi...lekin vo mujhe kahi nazar nahi aayi....maine apni shakti se sabhi ko ek ek locket pahanne ko de diya jo ki suraksha kawch ka kaam karega unke liye kisi bhi buri shakti ke hamla karne par...

Nangu-rishi..yaha hum rahenge kaha... ? sabhi kuch to yaha ujda hua hai.

Adii-abhi sab intazam karta hu....khatra

Khatra-ji malik

Adii-yaha mandir ke paas me ek aalishan mahal banao sab ke rahne layak..turant

Khatra-jo hukum mere aaka...

Urmila (hairan)-beta, vo akela bhala mahal kaise bana sakta hai..? Vo bhi aaj hi.

Megha-haan, aur yaha to koi majdoor bhi nahi milega.

Adii-khatra kuch bhi kar sakta hai maa.uske liye ye sab bahut choti si baat hai.kyon ki vo ek taqatwar jinn hai..

Sab (shocked)-kyaaaaaaa..khatraaa...ekkk.jinn.haiiii..?

Adii-hmmmm

Khatra ne kuch hi kshan me mandir ke bagal me ke bhavya mahal ka nirman kar diya...jiske andar sabhi aadhunik suvidhaye uplabdh thi..iss chamatkar ko dekh kar sabhi daanto tale hairani se ungaliya dabane lage.main sab ko andar le aaya..sabne apne apne liye ek ek room chun liya.

Pangu-chalo rahne ka intazam to ho gaya...ab aage kya karna hai.?

Adii-ab tum charo, franklin, daniel mil ke poore gaon ki jamin khodna shuru karo.yaha jamin ke andar dabe huye sabhi nar kankal ko bahar nikal kar unka antim sanskar karna hoga...jab tak sabhi ke nar kankalo ka antim sanskar nahi hoga tab tak chitra ko mukt karna mushkil hai.

Gangu-theek hai..hum abhi lag jate hain iss kaam me.

Daniel-khatra bhi to hamari madad karega.vaise to vo akele hi ye kaam bahut jaldi kar sakta hai phir hame kyo taklif de rahe ho yaar..?

Adii-kyon ki khatra bhi to akhir ek aatma hi hai.mukti dilane ka kaam uska nahi hai.ye hame hi karna hoga..

Chuttad-theek hai..jaisa tum kaho.

Adii-lekin dhyan rahe ki isme khatra bahut hai..vo aatmaye apne kankal ke nikat bhi aane nahi dengi.ho sakta hai ki vo tum par hamla bhi kar de.isliye savdhani se kaam karna hoga.

Franklin-ye tumhara locket hai na.phir kis ka darr hai..?

Adii-locket to hai hi.phir bhi koi aatma agar jyada shaktishali huyi to vah iss kawach ko tod bhi sakti hai.aur kawach tootne ke baad kya kya ghatna ho sakti hai, ye to main bhi nahi janta..yaha tak ki kisi ki jaan bhi ja sakti hai isme..

Daniel-arey aisa mat bol yaar.dekh teri to bahut sari biwiya hain..lekin meri to abhi shadi bhi nahi huyi hai.. main aise kuwara nahi marna chahta.

Adii-maine to pahle hi kaha tha ki yaha khatra hai..tum log hi nahi maane mere mana karne ke baad bhi..

Chuttad-chalo yaar.jo hoga dekha jayega.

Adii-sabse pahle daal gaon se start karo.nikal gaon uske baad dekhte hain.

Pangu-theek hai.badhiya naam hai..daal-nikaal.hihihihi

Khatra ne khudayi ka sara saman de diya jis ko le kar sab daal gaon me aa gaye..aur gaon ki seema se jamin ki khudayi aarambh kar di...poora din ka samay aise hi nikal gaya khodte huye kintu kuch nahi mila kisi ko.

Magar jaise hi shaam huyi vaise hi achanak ek jordar cheekh ne sab ko hila kar rakh diya..
 
[color=rgb(184,]UPDATE- 120[/color]


Khatra ne khudayi ka sara saman de diya jis ko le kar sab daal gaon me aa gaye..aur gaon ki seema se jamin ki khudayi aarambh kar di...poora din ka samay aise hi nikal gaya khodte huye kintu kuch nahi mila kisi ko.

Magar jaise hi shaam huyi vaise hi achanak ek jordar cheekh ne sab ko hila kar rakh diya..

Ab aage...

Awaz franklin ki thi.hum sab uski taraf bhaage.jaha par vo khudayi kar raha tha.jab hum vaha pahuche to franklin hame kahi dikhayi nahi diya.

Adii-kaha gaya ye.?

Nangu-kahi room to nahi bhag gaya.darr kar.?

Daniel-franklin darr ke karn pith dikhane walo me se nahi hai.jarur kuch aur baat hai.

Adii-shayad tum theek kahte ho.chalo dhoondo usko yaha har taraf.

Sabhi franklin ki khoj karne me lag gaye.khatra room me bhi dekh kar aa gaya kintu vah vaha gaya hi nahi tha. main abhi soch vichar me dooba hua hi tha ki tabhi ek cheekh phir se sunayi di.awaz franklin ki hi thi kintu ab awaz sun kar aisa mahsoos hua jaise ki vo yaha se kafi door ja kar madad ke liye chilla raha ho.

Main ankhe band kar ke dhyan me baith gaya..kuch hi der me mujhe franklin dikhayi dene laga jisko ki ek pret ne pakad rakha tha aur usko ghasit kar liye ja raha tha kahi.maine dimag me uss jagah ka avlokan kiya aur dhyan se uth kar apni ankhe khol di.

Adii-khatra, tum inn sab ko turant surakshit mahal le jao...main abhi aata hu...

Koi mujhse kuch sawal karta ki usse pahle hi main vaha se adrishya ho gaya aur sidhe uss sthan par pahucha jaha uss pret ne franklin ko pakad rakha tha.

Adii-chhod do use...

Franklin (mujhe dekh)-adiiiiiiii.....

Pret (bhari awaz)-hihihihihi...maregaaaaa..abbbb..tuuuu.bhiiii..maregaaaaaa

Vo franklon ka ek hath pakad kar khichte huye meri taraf badhne laga..ye dekh kar maine turant ankhe band kar ke apni divya talwar ka smaran kiya aur agle hi pal vo talwar mere hatho me prakat ho gayi.

Mere hayh me uss talwar ko dekhte hi uss pret ke meri taraf badhte kadam achanak hi ruk gaye aur vo piche hatne laga..jaise jaise main uski oar badhne laga vo piche hota jata.kintu usne franklin ka hath ab tak chhoda nahi tha.. ye dekh kar maine uski taraf daudna chaha to vah ghabra kar franklin ko chhod vaha se gayab ho gaya..franklin ko le kar main bhi mahal lout aaya jaha sab vyakulta se meri hi pratiksha kar rahe the.Mujhe aur franklin ko sakushal dekh sabne chain ki saans li.

Daniel-kaha chala gaya tha.aur cheekha kyo..?

Franklin (dara hua)-vo main jab vaha par jamin ki khudayi kar raha tha to kisi ne achanak mera pair pakad kar uss gaddhe me khich liya.maine idhar dekha to koi nahi dikha..lekin mera pair koi lagatar uss gaddhe ke andar khich raha tha..maine apna pair chhudane ki bahut koshish ki lekin nahi chhuda paya..isliye darr se cheekhne laga. uske baad kya hua mujhe kuch yaad nahi hai..jab hosh aaya to khud ko ek sunsan jagah par paya.ek bahut hi badsurat pret mujhe ghasit kar na jane kaha liye ja raha tha.uski surat dekhte hi meri cheekh nikalne lagi.aur phir adii vaha pahuch gaya aur mujhe uske changul se chhuda ke le aaya.

Adii-kal se khudayi ka kaam kewal din me hi hoga..shaam hone se pahle hi khudayi band kar denge..main kisi ki zindagi ko khatre me nahi dalna chahta.

Rajnandini-haan, ye theek rahega

Uske baad khana kha kar sabhi apne apne kamro me sone chale gaye..main room me rajnandini ke aani ka intazar kar raha tha..aur vo aayi bhi lekin apne sath chitra ko liye huye.

Rajnandini-rishi..main chahti hu ki chitra ko bhi uske hisse ka poora pyar mile.aaj se le kar amavasya tak chitra ko uska patni hone ka adhikar do.main nahi chahti ki vo apni adhuri ichchaye liye yaha se jaye.

Adii-aur tumhare hisse ka pyar..uska kya...?

Rajnandini-kewal do jismo ka milan hi to pyar nahi hai.prem to rooh me basa hua vo adbhut ehsaas hai jo hamesha do dilo ko aapas me sanjoye rahta hai.chitra bhi meri choti bahan hai, main uska adhikar chheen kar kaise khush rah sakti hu..mera kya.? Jaha maine itne samay intazar kiya hai to kuch samay aur sahi..

Rajnandini ki iss baat ne mujhe niruttar kar diya tha.mere paas koi jawab nahi tha uski iss baat ka.chitra to rajnandini ki baat sun kar bhavna me bhav vibhor ho gayi.aaj usko pahli baar ek sachche pyar ka ehsaas hua tha vo jhuk kar rajnandini ke pair chhune lagi to rajnandini ne pakad kar chitra ko apne gale se laga liya.

Rajnandini-ye kya kar rahi hai pagli..?

Chitra (bhav vibhor)-aap aur apka pyar dono hi pooja ke yogya hain didi...mujhe chhu lene dijiye apke inn charno ko, shayad isse meri galtiyo ka kuch prayaschit ho jaye.... ?

Rajnandini-tune koi paap nahi kiya hai...jo bhi kiya apne pyar ko hasil karne ke liye kiya...kintu kewal hasil kar lena ya kuch pana hi pyar nahi hota....kuch pa kar sab kuch khone ka naam bhi pyar hai....pyar me kuch pane ki ichcha nahi honi chahiye balki sirf dene ki bhavna hone ka naam hi sachcha prem hai....aur sabse badi baat ki pyar me ek dusre par atoot vishwash ka hona jaruri hai....jaha do premiyo me ek dusre ke prati vishwash na ho, vo sachcha pyar nahi ho sakta, vo to pyar ke naam par kewal chhalawa hai...yadi tum rishi se prem karti ho to uss par atoot vishwash karna bhi sikho....jaisa agni ne kiya.

Chitra-aap mahan ho didi....aap ke jaisa pyar to koi virla hi kar sakta hai...har kisi ke bas ki ye baat nahi...

Hamari baato ko koi aur bhi tha jo bade dhyan se darwaje ke bahar khade ho kar sun rahi thi...ye shree thi jo mujhse milne aa rahi thi lekin jab andar kisi ke baate karne ki awaz uske kano me padi to vo dhyan se sunne lagi..apni maa rajnandini ki baate sun kar usko apni bhool ka smaran hone lag gaya.

Shree (mann me)-meri maa sach me kitni mahan hain aur unka pyar usse bhi mahan hai...itne saalo tak intazar karne ke baad bhi vo sirf dusro ki khushi ke baare me hi sochti hain....main kitni swarthi ho gayi thi jo aaj tak sirf apne baare me hi sochti rahi....adii par sirf apna hi haq samajhti rahi...aaj maa ki baato ne mujhe sachche pyar ke sahi mayne samjha diye....adii main bhi intazar karungi uss din ka jab tum mujhe sachche mann se apni patni swikar karoge....main bhi apni maa ki tarah hi banungi...ab main adii ko apne hisse ke pyar ke liye pareshan nahi karungi....mujhe aap ki beti hone par apne aap par garv hai maa.

Ye soch kar vo vapis apne room me chali gayi...rajnandini ne chitra ko samjhaya aur usko mujhe soump kar shree ke paas sone chali gayi.

Rajnandini ke jate hi maine chitra ko apni agosh me samet liya aur sari raat usko pyar deta raha....agle din hum sab phir se uss gaon me pahuch gaye...vaha pahuchte hi maine dhyan laga kar ye dekhne ka prayas kiya ki uss gaon me kaha kaha par logo ke mrit kankal jamin me dabe huye hain....

Dhyan me sab jagah dekhne ke baad main har uss sthan par marking kar di jaha kankal hone ki sambhavnaye thi.. mark ki huyi jagah par sabne khudayi shuru kar di..poora din yahi kaam chalta raha...shaam hone se pahle hi maine khudayi ka kaam rukwa diya.

Khudayi karne me jitne bhi ashti avshesh nikle unko maine ek jagah par bada sa gaddha karwa ke usme rakhwata gaya...poore mahine bhar yahi kram chalta raha..din me khudayi hoti aur shaam hone se pahle band ho jati. har raat rajnandini mere room me chitra ko pahucha deti aur main usko uske hisse ka prem deta rahta.iss dauran dono gaon ki khudayi me bhari sankhya me nar kankal mile jinko ek jagah ekattha karwata raha.kuch apriy ghatnaye bhi beech beech me ghatit hoti rahi.itne nar kankal dekh kar sabhi ashcharya chakit the.. har din kuch na kuch hairat angej ghatnaye hoti rahi jinhe dekh kar sabhi hairan the.aur ye vishwash bhi karne lage the ki iss vastavik duniya ke alawa bhi ek paraloukik duniya hai.

Akhir vo din bhi nazdeek aa gaya jab chitra ki mukti honi thi iss chudail yoni se..aaj chitra ke chehre par ek mayushi chhayi huyi thi..uske chehre ki rounak jaise kahi gayab ho gayi thi..chitra ne iss mahine me kisi ko pareshan nahi kiya.uske swabhav me aayi ye tabdili kafi hairan karne wali thi.hum sabhi uske andar iss samay chal rahe dard ko samajh sakte the ki uski manodasha kya hogi..?

Chuttad--itne kankalo ka kya karenge.? Itne logo ki mukti kaise sambhav hogi rishi..?

Adii-sab nar kankal ek jagah ekattha karne ke piche mera uddeshya sirf yahi hai ki jisse sabhi ki ek sath mukti ho sake..

Nangu-amavasya to kal hi hai.

Adii-haan,.kintu kal hi sab ko mukt karunga aur chitra ko bhi..

Megha-koi khatra to nahi hoga na..?

Adii-asli khatra to kal hi hai.koi bhi ruh moh maya ke iss bandhan ko chhod kar mukt hona nahi chahegi.. ye bhi sambhav hai ki vo kal hum me se kisi ko bhi apne mrit sharir ke aas paas bhi na pahuchne de..ho sakta hai ki sab ek sath hamare upar hamla kar de..unme se kayi ruh to behad khatarnak aur taqatwar bhi hogi..jinse nipatna mushkil ho sakta hai.yaha tak ki vo kisi ki jaan bhi le sakte hain..

Urmila-tab to ye badi chinta ki baat hai beta.

Adii-haan mummy..kal sab log ye mahal chhod kar bagal me bane bhagwan shiv ke mandir ke andar chale jana.. aur chahe kuch bhi ho jaye vaha se bahar mat nikalna..ye bhi sambhav hai ki kayi taqatwar ruh sab ko mandir se bahar nikalne ke liye koi bhi chhal kar sakti hain..lekin tum log bahar mat aana, chahe kuch bhi ho jaye.

Rajnandini-main tumhe akele nahi jane dungi..pahle hi ek bar tumhe kho chuki hu..ab nahi khona chahti..

Urmila-haan beti tum sahi kahti ho.main adii ko akele nahi jane dungi itne khatro ke beech.main bhi sath chalungi.

Adii-mummy..ye koi picnic nahi hai.jaha koi maza aane ki soch rahi hain aap...balki ye zindagi aur mout ka sawal hai.aap logo me se koi bhi mandir se bahar nahi niklega kal.ye mera antim faisla hai.

Nangu-lekin abhi hame chira ka mrit sharir mila hi kaha hai... ? bina mrit sharir mile uski mukti kaise hogi... ?

Adii-chitra ka mrit sharir sirf amavas ki raat ko hi mil sakta hai.ye bhi sambhav hai ki uske mrit sharir ke aas paas kayi taqatwar ruho ne suraksha kawach ka ghera bana liya ho..agar aisa hua to vo hame chitra ke mrit sharir ke aas paas bhi nahi jane dengi..isliye kal khudayi ka kaam main akele hi karunga..

Chuttad-hum tujhe akele nahi jane denge.jiyenge to sath marenge to sath.kahe deta hu..haan..

Gangu-pahli bar tune sahi mouke par sahi baat kahi hai chuttad.main teri baat ka samarthan karta hu.

Sab (ek sath me)-hum bhi sath jayenge...

Adii-koi nahi jayega..samjahe aap sab.sab ko meri kasam hai agar mere sath chalne ki jidd ki to.

Shree-lekin adii.

Adii-koi lekin vekin nahii...

Megha-rajnandini beti, meri chitra beti aise yaha se vida nahi hogi.vo hamare bete ki patni hai.main chahti hu ki vo poori nayi naveli dulhan ki tarah yaha se jaye..jao usko dulhan ke lal jode ke sath poora shringar kar do. aaj abhi issi waqt bhagwan shiv ke samne dono ki vidhivat shadi hogi.kal jab vo sasural se vida ho ke jayegi to main samjhungi ki vo kuch samay ke liye apne mayke gayi hai..aaj se main uski maa hu aur urmila didi uski saas.

Urmila-meri chitra ki khwahish thi na ki vo sabke samne mere bete ki patni bane to uski ye ichcha jarur poori honi chahiye aaj.jao beti taiyar kar do.

Rajnandini-ji maa ji..

Chitra dono maa ki baate sun kar atyant bhavuk ho gayi aur bhag kar unke gale se lipat kar rone lagi...sabne use samjhaya...chitra ne apne sath sath sabhi ko bhavuk kar diya tha...aaj kisi ke dil me uske liye koi mail nahi tha.. usne iss ek mahine me sab ka dil jeet liya tha.

Phir rajnandini aur shree mil kar chitra ko apne room me le gayi aur uska dulhan ka shringar karne lagi...usko sajane ke baad hum usko le kar mandir me chale gaye jaha bhagwan shiv ke samne dono ki vidhi vidhan se shadi huyi....maine uske gale me apne naam ka mangal sutra aur maang me sindur bhar diya...aaj chitra ki antim ichcha bhi poori ho chuki thi....iske baad rajnandini aur agni ne chitra ko mere kamre me le aayi..jaha bistar phoolo se saja hua tha....

Maine chitra ko apni baaho me samet liya...aaj vo bala ki khubsurat lag rahi thi...aaj pahli bar uske chehre par sharam aur laaz ki lali dekhne ko mili mujhe...jo uski sundarta me chaar chaand laga rahi thi

Adii-chitra..aaj to hamari asli suhagrat hai....jo tum chahti thi,vo tumhe aaj mil hi gaya...phir itni udasi kaise hai tumhare chehre par... ? kya tum meri biwi ban kar khush nahi ho... ?

Chitra-aaj to meri zindagi ka sabse badi khushi ka din hai....main bahut khush hu... main ek chudail hu jiska kaam hi logo ka khoon pina hai...ye jante huye bhi aapne sab ke samne mujhe apni biwi banne ka gaurav diya..apki biwi banne aur rajnandini jaisi mahan aurat ki choti bahan hone ka jo saubhagya mujhe mila hai, uski khushi ka shabdo me bayan karna mere liye bahut mushkil hai...lekin aapse door jane ka darr mujhe bahut sata raha hai....ye sab khushiya kal ek kshan me hi mujhse chhin jayengi....main ab apke bina kaise rahungi... ?

maine dekha ki chitra ki ankhe chhalak aayi thi...aaj pahli baar main bhi uske liye bhavuk ho gaya tha...maine usko samjhate huye apni baho me kas liya aur apne hoth uske hotho par rakh kar uske adhro ka raspan karne laga... dhire dhire usne bhi mujhe sahyog dena shuru kar diya..aur kuch hi der me hum dono ek dusre me samate chale gaye...

subah hote hi akhir vo din bhi aa hi gaya..amavasya ka din...ye koi nahi janta tha ki aaj ki amavas ki ye kali raat kya nayi ibarat likhegi... ? koi nahi janta tha ki iss raat ke baad ki subah hogi bhi ya nahi.... ? kis kis ki zindagi bachegi aur koun koun panch tatvo me vileen ho jayega, ye bhi nahi pata tha kisi ko... ? iska rahasya to sirf samay hi dega.
 
Back
Top