• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Kaisa Ye Ishq Hai (A Love Story)complete

  • Thread starter Thread starter StoryPublisher
  • Start date Start date
Update-11

-------------

Adaalat dono pakshon ka faisala sunti hain. aslam bhi apne saare gunaah kubul kar leta hain. aur aab adalat apna faisla sunati hain..

Tamam bayanon ko maade nazar rakhte hue adalat is nateezay par pahunchi hain ki aslam ne hi is masoom ladki ki zindagi tabaah ki hain. aur divya ko apne aadmiyon ki madad se isey beech raaste se uthwakar is masoom ke saath balatkaar kiya. jiska ye poora gunehgaar hain. aur adaalat isko dhara 356 ke tehat 7 saal bamushakkat ki saza degi. magar isney apna gunaah kubul kiya hain to iski saza 7 saal se ghat kar 5 saal ki saza hogi.

par yahan divya ko kya haasil hoga. uski zindagi to barbaad ho chuki hain. aab kya koi aache khandaan ka ladka to uski maang mein sindoor nahin bharega. aakhir aslam ko saza mil jane par bhi divya ko kuch haslil nahin hone wala. aur adalat yahan par pura insaaf karney ke liye baithi hain.

judge- aslam tumhein apni safayi mein kuch kehna hain. ye tumhare paas aakhri mauka hain.

aslam- main kuch nahin kehna chahta. aap jo saza mujhe denge mujhe manzoor hoga.

Judge- adalat ye faisla sunati hain ki jis tarah se aslam ne divya ki zindagi barbaad ki hain usi tarah se aab aslam hi is ladki ki zindagi ko sawarega. aadalat ye hukum deti hain ki aslam ko aab divya se shadi karna hoga. agar wo is faisley se inkaar karta hain to adalat aslam ke khilaaf sakht se sakht karwahi karegi. jis tarah se aslam ne divya ki izzaat beech samaz mein uchali hain aab wo hi isey apni patni banakar iski izzat ki rakhsha karega. jo maan samaan divya ne khoya hain wo aab aslam divya ko apni patni banakar usey wo maan pratishtha lautyega. ye adalat ka aakhri faisla hain.

tabhi beech mein hi salim bol padta hain- main nahin manta adalat ke is faisley ko. ye sarasaar ananyay hain. aslam musalam hain aur ye ladki hindu hain. bhala adalat ye kaisa faisla suna sakti hain.

judge- agar aapko kuch kehna hain to aap katghade mein aakar keh sakte hain

salim kathghade mein aata hain aur fir se wahi baatein doharata hain- ye ladki hindu hain aur aslam musalmaan. bhala ek hindu ladki musalmaan ladkey se kaise shadi kar sakti hain. humara mazhub iski izazat nahin deta. aur humare dharm mein bhi yehi likha hain ki agar shadi hogi to apne hi com mein hogi. warna nahin.

judge- mujhe tumhare sawlon se koi aitraaz nahin hain. agar adalat aslam ko 7 saal ki saza sunatati hain to kya is ladki ko insaaf milega. aslam ne jo is ladki ki pavitrata ko bhang kiya hain kya wo is samaz mein fir se apni khoyi hui izzat usey kya lauta payega. bhala kaun ladka aab iski maang mein sindoor bharega.

salim- aaj kal ke jamane mein ye koi badi baat nahi hain judge sahab. har din roz na jane kitni ladkiyon ka balatkaar hota hain. to kya adalat har balatkari ko yehi saza sunayegi. agar kisi ladki ke saath samuhik balatkaar hoga to kya adalat yehi kahegi ki us ladki ko sab aadmiyon ke saath shadi kar leni chahiye. kuch din ke baad ye ladki bhi bhool jayegi aur fir koi bhi ladka issey shadi kar lega. aaj kal paise se kya nahin ho sakta hain.

judge- baat tumhari sahi hain. aaj kal na jane kitne ladkiyon ka rape har roz hota hain. magar har apradi ke liye alag kanoon aur saza hain. adalat har mujrim ko ek jaisa saza nahin de sakti. aur rahi baat is ladki se koi bhi shadi kar sakta hain to kya tum ye jante hue bhi ki is ladki ka balatkaar hua hain kya tum is ladki se shadi kar sakte ho.mujhe mere sawalon ka jwab chahiye.

salim judge ki baaton se ek dum se hadbada jata hain-- bhala.....main.......kaise....kar sakta hoon.......maine......ye to...nahin kaha....ki main..hi .issey..shadi ...............karunga.

judge- kyon aab kya hua. kehne aur karne mein bahut fark hota hain. jab baat apni par aati hai to sach hamesha kadwa lagta hain. tumne to badi assani se is ladki par ungali utha di. socho is ladki ke dil aur dimag mein isey kitani thesh pahunchi hogi. aur rahi baat mazhaab ki to humara mazbaab ye nahin kehta ki hum jaat paat dekhein. sab insaan yahan ek saman hain. insaan sabse pehle apane karmo se jana jata hain na ki mazhab aur jaat dharam se. aur jaat paat se badhkar kisi ki zindagi nahin hoti. is ladki ki zindagi aslam ki wajah se barbaad hui hain to aab aslam hi is ladki ki zindagi sawarega. aapko aur kuch kehna hain. salim ki to mano bolti band ho chuki thi wo chup chaap aakar apni kursi par baith jata hain..

judge- aab aap sab mein se kisi ko koi bhi sawal poochna chahe pooch sakta hain. faisla hone ke baad koi sunwayi nahi hogi. adalat mein charo taraf sunnata fail jata hain. koi kuch nahin kehta.

fir adaalat apna faisla sunati hai- tamam sabooton ko maade nazar rakhte hue adalat aslam ko divya ka gunehgaar manti hai aur usko divya se shadi karne ka hukam deti hain aur ye bhi faisla karti hain ki agar aslam ne divya ko koi nuksaan pahunchane ki koshish ki to police uspar turant karwahi karegi aur aage kabhi bhi divya ne aslam ke khilaaf koi shikayat darz ki to asalm ke khilaaf sakh karwahi ki jayegi. the court is edjourned.........

aur jitne bhi log aaye they sab ek ek kar adalat se bahar nikalney lagte hain. kamre mein divya aise hi mayoos baithi thi. thode deer ke baad wo fafak fafak kar apni mummy ke seeney se lipatkar ro padti hain....

divya- mujhe nahin karni us haiwaan ke saath shadi. main jaisi bhi hoon theek hoon. mummy main aap log ke saath rehna chahti hoon.

sanjay- mat ro divya adalat ka faisla hum bhi nahin badal sakte.chinta mut kar main tere saath hamesha rahunga. aur wo divya ko apne seene se laga leta hain aur divya bhi apne aansoon nahin rok pati aur wo bhi apne bhaiya ke seene se lipatkar rone lagti hain.......................................

Saath Bane Rahiyega aabhi aslam aur divya ki shadi aabhi baaki hain..........................................

______________________________
 
Update-12

--------------

udher aslam ko bhi kuch samajh mein nahi aata ki wo kya kare. uske saath uska dost kabir hi is waqt maujood tha.

kabir- dekh aslam meri baat dhyaan se sun. aab bhi sambhal ja aur ye sab gunda gardi chodh de. aaj ke baad main bhi ye sab nahin karunga. maine dekh liya hain iska aage chalkar kya anjaam hota hain. dekh aaj tere apne log bhi tere saath nahin hain. aaj sab kuch hum logon ne kho diya hain.

aslam- yaar mujhe fark nahin padta ki koi mere saath hain ki nahin. in logon ne kab mujhe apna samjha tha. aachey waqt mein bhi mere parivaar walon ne mera saath nahin diya to ye burey waqt mein mera saath kya denge. mujhe apni chinta nahin hain bus mujhe hairani ho rahi hain adalat ki is faisley par. sala apna to koi wajood nahin hain aaj hain kal nahin rahenge magar is ladki ko mere gale band diya samajh mein nahin aa raha ki main is laundiya ka kya karun.

kabir- dekh aslam baat jitna tu halke mein le raha hain mamla utana hi serious hain. aur tu us ladki ko kyon dosh de raha hain. tune hi to uska rape kiya tha. aab us bechari ka ismein kya dosh hain. meri baat maan le aabhi bhi kuch nahin bigada hain. is ladki se shadi karke isko apni biwi sweekar kar le.

aslam- yaar maine kab mana kiya hain ki main usey apni biwi nahin banauga magar wo to mujhe dekhna bhi pasand nahin karti. aur main janta hoon ki aage bhi wo apni nafraat isi tarah kayam rakhegi.

kabir- tune kaam hi aisa kiya hain. chal chodh baad mein wo sab baatein karenge ye bata aage ka kya socha hai. tabhi sulemaan aslam ke kareeb aata hain aur kabir wahi thoda door hat kar khada ho jata hain.

sulemaan- khush to tu bahut hoga ki tujhe bail mil gayi. magar ek baat kaan khol kar sun le aaj ke baad tu humare ghar par nahin rahega. na hi humse tera koi vaasta hain. aaj ke baad samajh lena ki tu aanath hain. tera is duniya mein koi nahin. aur haan agar kabhi galti se bhi humse milney ki koshish mut karna. aaj ke baad mera sirf ek hi beta hain aur wo hain salim.

aslam- to ismein nayi baat kya hain. pehle bhi to aap salim ko hi apna beta mante they. main to aapke liye kab ka murr chuka hoon. aur waise bhi mujhe aapke rehne aur na rehne se koi fark nahin padta..

sulemaan aslam ki baatein sunkar gussey se bhadak jata hain aur ek zordaar thappad aslam ko jadh deta hain- galti meri hi thi jo main ye bhool baitha ki maine saanp ko apna doodh pilaya hain. mujhe nahin pata tha ki ek din ye saanp mujhe hi dasega. issey aacha hota ki tere paida hote hi main tera gala ghont deta. kum se kum aaj aisa din to humein nahin dekhna padta. agar tujhe itani hi garmi chadi thi to apne hi com ki ladki ke saath ye sab karta. kum se kum baat apne jaat biradari mein to reh jati. tune to ye kukarm bhi kiya to ek hindu ladki ke saath.

aslam- jab main aab aapka aulaad hi nahin hoon tab aapko kya fark padta hain ki main kissey apni biwi banuanga aur kissey nahin. aab mera aaj ke baad is duniya mein koi nahin hain.

tabhi salim bhi aa jata hain uske haath mein ek bag tha. wo bag aslam ko thama deta hain- ye lo bhaijaan ismein aapke kuch kapdey wagerah hain aur kuch aapke saaman bhi hain. jab aapka humse koi vaasta hi nahin hain to aapka saman ka humare ghar mein kya kaam.

salim ki baaton se aslam chaunk jata hain wo kabhi sapne mein bhi nahin socha tha ki salim ussey aise pesh aayega.

aslam- shukriya mere bhai. aaj tumne bhi aapna farz bakhoobhi nibahya. chalo aacha huwa aab tum sab ko bhoolney mein asani hogi..

sulemaan- ye rakh le kuch paisey. tujhe is samay paison ki zaroorat padegi. aur waise aaj ke baad humare ghar ke darwaze tere liye humesha humesha ke liye bund hain. aab agar tu murr bhi gaya to humein koi fark nahin padega.

aslam- mujhe nahin chahiye aapke paisey. jab aapne sab rishta katam hi kar diya hain to aab mera paise lene ka bhi koi haq nahin banta.

sulemaan aur salim gussey se wahan se nikal jate hain aur bus kabir hi waha chup chaap khada reh jata hain.

kabir- yaar aab tu kahan jayega. aab to tere paas sir chupane ke liye bhi jagah nahin hain.

aslam- ye duniya bahut badi hain mere dost. kahin na kahin sir chupane ke liye jagah to mil hi jayegi.

kabir- tu ek kaam kar mere padosh mein ek room khali hain agar tu kahe to main baat karta hoon. par dikkat ye hain ki wo single room hain aur ek kitchen aur ek bathroom ke saath.

aslam- yaar is waqt main koi bhi faisla lene ki stithi mein nahin hoon tujhe jaisa theek lage.

kabir jakar makan maiik se baat karta hain makan malik to saaf saaf mana kar deta hain magar kabir usko bharosha dilata hain ki aslam ki saari jimmeradari wo khud lega. tab jakar wo usey room kiraye par deta hain.

aslam yehi soch mein tha ki aab uski zindagi usey kahan le jayegi usey to apne aane wale kal ke baare mein bhi nahin pata tha aur upar se wo ladki bhi aab uske saath hain. agar aslam akele rehta to wo kaise bhi apni jindagi gujar basar kar leta magar aab divya uski patni bankar uske saath rahegi aur wo aise situation mein wo aab kya karega ye sochkar wo bahut pareshaan tha. pata nahin aane wala waqt usey kis mod par le jane wala tha...............................................

______________________________
 
Update-13

------------

Aslam ke mann mein is waqt kai tarah ke sawal uth rahe they magar aaj uske paas apne kisi bhi sawalon ka jawab maujood nahin tha. wo bhi inhi khyalon mein dooba hua tha tabhi sanjay ki awaz uske kaanon par padti hain. wo chaunk kar sanjay ki taraf dekhney lagta hain. sanjay apne badhtey kadmo se uske paas aata hain.

sanjay- tumse main kya baat karun aaj mere paas koi shabdh hi nahin bacha hain kuch kehney ke liye. haan bus itna kahunga ki meri behan ko koi takeef mat pahunchana. waise bhi tumne usey jeete jee maar diya hain agar tumne uske saath aur jyadati ki to wo murr jayegi.

aslam apne dono haath sanjay ke samey jod leta hain- mujhe maaf kar do sanjay. mujhse bahut badi bhool ho gayi. main apne gunahon par parda nahin dalunda magar itna tumko jaroor vishwaas dilata hoon ki tumhari behan ko main aab aaj ke baad koi bhi takleef hone nahin doonga. uski har khushi ka main khyaal rakhunga. main janta hoon ki tum mujhpar vishwaas to nahin karoge magar main aaj ke baad kasam khata hoon ki main tumhari behan ka poora khyaal rakhunga.

sanjay bus aslam ki aankhon mein dekhney lagta hain aur issey jyada wo kuch bol nahin pata aur apna sir jhuka kar nikal jata hain. aaj aslam ke dil mein bhi ek dard utha tha sanjay ke aisi baaton ko sunkar. uski aankhein bhi num ho chuki thi. wo bhi bus sanjay ko jaate hue dekhta rehta hain.

dusare din adalat ke faisley ke anusaar aslam aur divya ki shadi court mein hoti hain. divya ka to ro-ro kar bura haal tha. aaj un dono ki shadi mein aslam ka dost kabir hi maujood tha. aur divya ke ghar se bus sanjay hi aaya tha. shivdayal ko ye sab dekha nahi gaya iske wajah se na hi sushma aayi aur na hi shivdayal. vidhi ke anusaar undo ka shadi ho jata hain. shadi mein kewal 4,5 aadmi hi maujood they. kuch to jaat dharam ki wajah se nahin aaye they aur kuch adalat ke faisley ki wajah se.

jab shadi ki poori rasham ho jati hain to divya daud kar sanjay se lipat kar zor zor se roney lagti hain- bhaiya main nahin jawongi mujhe apne ghar le chalo. main aap sab ke bagair nahin reh sakti. issey aacha hota ki main murr jati kum se kum mujhe ye din to nahin dekhna padta. sanjay bhi phoot phoot kar divya se lipatkar rone lagta hain. kafi deer tak wo dono aise hi ek dusare se lipatkar rote rehte hain. fir divya car mein baith jati hain aur apne sasuraal yani aslam ke saath apne naye ghar ke liye nikal jati hain. uske aankhon se aansoon band nahin ho rahe they. aur hote bhi kyon- na jane usney kitne sapne dekhey they aur sab aslam ki wajah se un sapnon par pani fir gaya tha.

kareeb 1/2 ghante baad aslam divya ke saath apne naye ghar mein kadam rakhta hain. aslam ka ghar jahan tha wo sehar se door tha aur aas paas do teen ghar they. thode deer mein kabir bhi aa jata hain. wo janta tha ki asalm ko is waqt uski bahut zaroorat padegi. aslam bhi ghar mein aakar chup chaap ek kone mein baith jata hain. aur divya jakar bed par apne ghutnon ke bal baith kar roney lagti hain. aaj aslam ki thodi bhi himmat nahi bachi thi ki wo divya ko jakar chup kara sake. chup karana to door ki baat aaj uski divya se nazar milane ki bhi himmat nahin ho rahi thi.

kabir usko ghar se bahar bulata hain- dekh aslam is waqt situation bahut hi nazuk hain. divya aabhi bhi sadmein se bahar nahin nikal payi hain aur main nahin chahta ki tu koi uske samne aisi waisi harkat kare ki uska raha saha dil bhi toot jaye. is waqt usey sahare ki zaroorat hain aur tu hi is waqt uska shara ban sakta hain. thodi si himmat dika aur divya ko kaise bhi karke mana. main janta hoon ki ye itana asaan kaam nahin hain. wo nahin manegi aur gussey mein na jane kya kya kahegi. magar please yaar mere khatir apna gusse ko pi jana.

aslam- aaj is najuk daur par tu hi to mere saath hain kabir. aab main teri baat nahin manunga to kiski manunga. theek hain koshish karta hoon par janta hoon ki wo zehar hi ugalegi.par tere liye main wo zehar bhi pi loonga. fir thode deer mein kabir bhi apne ghar chala jata hain. aab bus aslam aur divya hi kamre mein maujood rehte hain.

aslam- aab chup bhi ho ja. kab tak aansoon bahayegi. main jakar tere liye kuch khana le kar aata hoon.

divya ki aankhein is waqt laal ho chuki thi kuch guseey ke karan aur kuch ro- ro kar. wo ghoor kar aslam ko dekhney lagti hain mah=gar ek shabdh bhi aslam se kuch nahin kehti.

aslam bahar jata hain jakar kuch khane hotel se order karke lata hain aur le ja kar divya ke samney wo khana rakh deta hain.

divya ek nazar aslam ko dekhti hain fir wo gussey se khana utha kar aslam ke samney fenk deti hain uske kadmon ke paas- nahin khana mujhe ye khana. le jawo aur meri nazreoin se door ho jawo. main tumhein dekhna nahin chahti. nafraat karti hoon main tumse .............nafraat. aur aaj ke baad tumse meri ek hi rishta hain aur wo hain nafrat ka..................................................

______________________________
 
Update-14

--------------

Aslam chup chaap wahin khade rehta hain. usey gussa to bahut aata hain divya par lekin wo kabir ki wajah se apne gussey ko pi jata hain.

aslam- theek hain nahin khana hain to mut kha.

divya fir aslam ko ghoor kar dekhti hain- maine kahan na tum yahan se chale jawo. mujhe tumhari shakal nahin dekhni hain. koi nahin ho tum mere aur na hi tumhein meri fikar karney ki koi zaroorat hain. main chahe jeewon ya marun.

aslam ka gussa control ke bahar ho jata hain divya ki aisi baaton ko sunkar. wo wahi khidki par gussey se apna haath seeshay par maar deta hain aur sheesha kuch hi pal mein toot kar kamrey mein bikher jata hai. aslam ke haathon se khoon behnay lagta hain uske haathon mein kai jagah sheeshay lag gaye they. wo wahi gussey se kamrey ke bahar nikal jata hain. divya ye sab dekhkar fir ser foot foot kar roney lagti hain.

bahut hi mushkil ghadi thi aslam aur divya ke liye. baat karna to door divya to aslam ki shakal tak dekhna nahin chahti thi. aise mein un dono ka ek chaat ke neechay ek saath rehna aslam ke liye kisi jail se kum nahin tha. wo to yehi soch raha tha ki koi chamatkaar ho jaye aur divya ussey sirf baat hi kar le to uski aadhi tension khatam ho jati. par yahan to aab aslam ke parivaar walon ne bhi ussey sab naata tod liya tha. aaj aslam bilkul akela tha .

aslam ke bahar jate hi divya bister se uthathi hain aur kamrey mein bikhrey kaanch ko samatney lagti hain. fir usey utha kar dustbin mein dal deti hain. fir apna suhaagan wala kapdey badal kar wo ek salwar suit pehan leti hain aur jakar kitchen mein kuch khane peenay ka saman banane lagti hain.

raat mein kareeb 10 baje aslam aata hain. uski haathon mein is waqt paati bandi thi aur wo sharab ke nashe mein choor tha. wo ladhkhade hue apne ghar ka darwaza khatkhata hain aur divya jakar darwaza kholti hain. sharab ke nashe mein aslam ko dekhkar divya ko koi hairani nahin hoti. wo janti thi ki aslam ke liye ye sab aam baat hain. wo kuch bolti nahin aur darwaza band karke apna bister jameen par laga deti hain. aslam to pehle gaur se divya ko dekhta hain magar wo chup chaap jakar bister par so jata hain. divya bhi aakar wahi farsh par so jati hain.

aaj tak wo aish aaram se rehne wali aaj usko bhi kaisa din dekhna padh raha tha. wo bhi ek chote se ghar mein jahan uska personal kamra bhi iske mukable double tha. wo bahut deer tak apne ghar ke baare mein sochney lagti hain aur na jane kab uski aankh lag jati hain.

subeh aslam ki neend khulti hain aur wo fresh hota hain aur sabse pehle wo divya ko doondhney lagta hain. divya usko kitchen mein dikayi deti hain. divya ko dekhkar wo chain ki saans leta hain. fir wo divya ke pass jata hain aur jakar usko soory bolta hain kal ki baaton ke liya. divya apna mooh fer leti hain aur bina jawab diya apna kaam karney lagti hain. aslam thode deer tak divya se umeed lagaye baitha rehta hain ki divya kuch kahegi magar kuch deer baad jab divya ke taraf se koi jawab na milne par wo turant ghar se bahar nikal jata hain.

aslam jaise hi bahar nikalta hain usey samney kabir aata hua dikayi deta hain.

kabir- aslam sab theek to hain na aur teri haathon ko kya hua.

aslam- kuch nahin yaar bus thoda chot lag gaya. chodh na apna bata itani subeh kaise idher.

kabir- sach sach bata aslam baat kya hai. divya ne tujhse kuch kaha kya. aur ye haath mein kaisi choot lagi hain.

aslam- yaar kuch nahin main to paida hi is liye hua hoon ki sab log mujhse nafraat kar sakein. main to bus nafraat karne ki cheez hoon.

kabir aslam ke kandhey par hath rakh deta hain- ek baat kahun dost hum aksar dusaron mein kamiyaan dhoondhtey hain magar hum ye bhool jate hain ki kami dusaron mein nahin balki apne ander hoti hain. sabra kar aslam ek din sab theek ho jayega. aaj log tujhse nafraat karte hain ek waqt aayega ki yehi log tujhse mohabaat bhi karenge. magar iske liye tujhe badalna hoga. bol tu mere liye na sahi par divya ke liye to badal sakta hain na.

aslam- par wo to mujhe dekhna bhi pasand nahin karti. main kal uske liye khana lekar gaya tha usney gussey se wo khana mere kadmon ke paas fenk diya. magar mujhe wo bura nahi laga. buri lagi uski wo baatein jo mere ander zehar ka kaam karti hain. aur uski baatein sunkar jee to karta hain ki........................

kabir- sach mein aslam tere liye ye bahut mushkil ghadi hain. aise mein ek hi chaat ke neecay rehana kitana mushkil kaam hain ye main janta hoon. par vishwaas kar mera dekh lena ek din aisa bhi samay aayega ki divya ki wahi nafraat ek din pyaar mein badal jayega.

aslam- yaar mujhe to ladkiyon ke bare mein kuch nahin pata. wo kya sochti hain kya chahti hain mujhe in sab ke baare mein koi jankari nahin hain. main kya janu ki ye pyaar vyaar kya hota hain.

waqt apni raftaar se chal raha tha. ek maheena beet gaye they magar divya ki nafraat pehle jaise hi barkar thi. haan badlaav aaya tha to wo tha aslam ke ander. dheere dheere wo apni gundagardi kareeb kareeb chodh chuka tha aur wo aab divya par bhi dhyaan dene laga tha. wo bhi isi aas mein tha ki kabhi na kabhi to divya ussey baat to karegi aur uski nafraat ek din mohabaat mein badal jayegi magar kab ye usey nahin pata tha. aslam pehle ke mukable cigratte sharab bhi peena kum kar diya tha. usey khud aab aacha nahin lagta tha ki wo divya ke samne ye sab kare. wo har mumkin koshish mein tha ki kaise bhi karke wo divya ke mann mein pyaar ki beej dal de.

is beech wo kabhi bhi divya ko chuna to door wo uske paas bhi nahi gaya tha. magar na jane divya kiss mitti ki bani hui thi jo aab tak nahin pighal rahi thi. magar aslam janta tha ki deer saber divya ki ye nafraat mohabaat mein badal jayegi........................................

______________________________
 
Update-15

--------------

Aslam yehi aas mein tha ki na jane kab wo din aayega jab divya ussey baat karegi. wo aab dheere dheere samajh chuka tha ki uske is harkat se divya ke dil ko kitani badi thesh pahunchi hogi. nafraat to hona aslam ke liye swabahik tha. par aslam ke ander aab itani bhi himmat nahin thi ki wo divya se koi baat bhi kar sake. waise to aslam kisi se nahin darta tha par na jane wo kyon divya ko lekar uske mann mein thodi jhijak thi. magar sach to ye tha ki aab asalm usey dheere dheere chahney laga tha.

ek din jab aslam ghar par aaya to dekha ki divya neechay apne bister par soyi hui hai. aur garmi ke mahine mein bhi usney kambal odh rakha tha. aslam ko samajhtey deer nahin lagi ki is waqt divya ko bahut tezz fever hain. wo wahi thand se kaanp rahi thi aur uski aankhein bhi band thi. aslam ko to kuch samajh mein nahin aata ki wo kya karein. thode deer sochney ke baad wo divya ke nzdeek jata hain aur himmat karke poochta hain.

aslam- kya hua divya tum aise kyon kaanp rahi ho. bukhaar hain kya. magar divya na hi apni aankein kholti hain aur na hi koi jawab deti hain. aslam ko nahin raha jata aur wo apna ek haath divya ke sir par rakh deta hain. jaise hi wo apna haath divya ke sir par rakhta hain aslam ko mano aisa lagta hain ki usney koi garam cheez choo liya ho. divya ka shareer bukhaar se pura tap raha tha. aur divya ki aisi haalat thi ki wo apni aankhein bhi nahin khol paa rahi thi. aslam thodi himmat karke wo divya ko apni god mein utha leta hain aur wo usey utha kar wahi apne bed par sula deta hain. fir wo kitchen mein jata hain aur jakar ek katori mein pani aur ek kapada lekar aata hain aur us kapdey ko bhigokar wo divye ke sir par rakh deta hain.

kareeb 15 minute ke baad divya apni aankhein kholti hain aur ek nazar aslam ko dekhti hain fir apna mooh dusari taraf fer leti hain. aab divya ka fever kafi kum ho gaya tha. wo jhat se kamrey se bahar jata hain aur seedha ek wahi paas ke doctor ke hospital mein ghus jata hain. fir hospital ke charon taraf apni nazar daudney ke baad usey ek doctor dikayi deta hain.

aslam- Dr. sahab aap mere saath chaliye.meri wife ki tabiyaat bahut kharab hain. usko baht tezz bukhar hain.

doctor- to main kya karun. yahan par itne saare patients baithey hain kya main in sab ko chodh kar tumhari biwi ka bus ilaaz karun. main ghoom ghoom ka ilaaz nahin karta hoon. agar itana hi serious hain to usey yahan par le aawo aur fir apna number lagawo. jab numer aaayega to main ilaaz karuga.

aslam- please doctor saheb uski halat dheere dheere bigadti ja rahi hain. agar usey yahan par lawonga aur fir line mein lagane se pata nahin kitna waqt lag jayega. mere saath chaliye nahin to wo murr jayegi.

doctor- dekho bhai ek baar bol diya ki main nahin ja sakta to nahin ja sakta. agar tum chahte ho ki main uska ilaaz karun to jawo aur jakar usey yahan lekar aawo.

aslam- please doctor saheb main aapke aage haath jodta hoon wo bahut serious hain. main aapka zyada waqt nahin loonga.

doctor- ye to hadd hi ho gayi. arey bhai dekh kya rahe ho is aadmi ko yahan se bahar karo. na jane kaise kaise log yahan par aa jate hain. doctor wahan khade dono compounder ko dekhkar bola.

aslam ka sabra toot chuka tha wo to bus divya ki wajah se chup tha jaise hi wo dono compounder usey pakadney ke liye aate hain wo un dono ko apne mazboot hathon se do thaapad marta hain aur bechare wo dono apna rasta naap lete hain. ye sab dekhkar doctor chilla padta hain..

doctor- tu yahin thehar ja main aabhi police ko bulata hoon aur doctor jaise hi apne jeb se mobile nikalta hain aslam uska kalai padak leta hain aur mod deta hain. doctor ki cheekh nikal jati hain.

aslam- tu kya samajhta hain ki main aab tak chup tha to main kamzoor tha. aslam naam hain mera. lagta hain tu mujhe janta nahin hain warna teri awakaat nahin hoti ki tu mujhse aisi baatein karta. ek aur karara thappad aslam doctor ke gal par jadh deta hain. doctor ko to din mein taare dikhayi dene lagte hain. wo wahi chup chaap durr se baith jata hain.

doctor- aakhir tum chahtey kya ho.

aslam- tujhe doctor kisney bana diya be. sala do baar bol chuka hoon fir bhi teri khopadi mein ye baat samajh mein nahin aati ki meri bie=wi ka tabiyaat kharab hain. chal bata kahan par hain tere bag aur dawai. doctor fir dheere se ek ungali se ishara karta hain. aslam jakar wo doctor ka bag utha lata hain jismein kuch dawai bhi rakhi hui thi.

aslam- chal apni car ki chabi de mujhe.

doctor- wo kyon ????

aslam- lagta hain tujhe koi bhi baat ek baar mein samajh nahin aati. fir aslam doctor ko apne kandhey par utha leta hain aur wo hospital ke bahar nikal padta hain doctor ko lekar. hospital mein sab log aslam ko aise dekh rahe they mano koi movie chal rahi ho. aslam bhar aata hain au wo doctor ki car ke paas usey utar deta hain. chal gadi ki chabi de. doctor ki rahi sahi himmat bhi jawab de deti hain aur wo chup chaap apne jeb se chabhi nikal kar aslam ko thama deta hain.

aslam- aab kya koi muhuraat nikalwana padega kya tujhe car mein bathney ke liye. chal jaldi se baith ja warna aabhi ek aur padega.

doctor jhat se car mein aslam ke baju wali seat par baith jata hain aur aslam tezi se car lekar apne ghar ki taraf chal deta hain. thodi deer mein wo apne ghar pahunctha hain doctor ko lekar.

divya aabhi bhi aisi hi soyi hui thi. doctor uske paas aata hain aur uske naabs check karta hain. fir wo do injection divya ko lagata hain. thode deer ke baad divya aapni aankhein kholti hain. fir doctor kuch dawaiyaan deta hain.

doctor- aab main chalta hoon. aab inka fever thode deer mein theek ho jayega. aur doctor jne ke liye mudta hain tabhi divya ki aawaaz uske kaanon mein padti hain.

divya- aapka kitna fees hua doctor.

doctor- nahin nahin main aapse koi fees nahin le sakta. main hi inhein pehchane mein bhool ki thi.

divya- to lete jaiye apni ye dawainyaan mujhe nahin chahiye.

doctor- aarey ye aap kya keh rahi hain.

divya- bataiye na doctor kitna hua aapki fees.

doctor- hua to 1000 rs par aap 700 hi de dijiye.

divya uthathi hain aur pane purse mein se poore 1000 ka el note doctor ko thama deti hain. doctor bus usko dhanyawaad kehkar nikal jata hain.

aslam ye sab nazara dekhta hain magar ek shabdh bhi nahin bolta. wo wahi divya ke paas chup chaap khade rehta hain.

divya- tumko ye sab karne ki kya zaroorat thi. murr jane diya hota mujhe. nahin chahiye mujhe tumhara koi ehsaan. agar tum mera ehsaan chukana hi chahte ho to ghont do mera gala aur mar dalo mujhe.na main rahungi aur na ye sab dekney ko milega.........................................

______________________________
 
Update-16

--------------

Aaj aslam ko divya se bahut sari umeedein thi ki aaj ho na ho divya kum se kum kuch to baat karegi. magar aaj bhi divya ke ander aslam ke prati koi badlaav nahin aaya tha. aslam ka dil phir se toot gaya tha divya ki aisi baateoin ko sunkar. wo jhat se kamrey ke bahar nikal jata hain. aaj uski aankhon mein aansoon chalak padey they. tabhi wahan par kabir aaj jata hain aur usko aise rota hua dekhkar wo chaunk jata hain.

kabir- kya hua aslam aaj teri aankhon mein aansoon. divya ne zaroor kuch kaha hoga.

aslam- yaar issey aacha hota ki adalat mujhe fansi ki saza suna deti. kum se kum aise ghoot ghoot kar to nahin jeena padta. aaj ek maheena se upar ho gaya meri shadi hue magar divya ne baat karna to door mujhe ek nazar dekti bhi nahin hain. aab to mera dum ghutney laga hain is ghar mein. sala samajh nahin aata ki main kya karun. aaj teri wajah se main chup hoon warna ye do take ki laundiya ki kya mazaal ki wo mujhse aise pesh aaiyein.

kabir- har kaam mein jajbati hona theek nahin hai aslam. dheeraj rakh dekh lena ek din sab theek ho jayega.

aslam- kuch theek nahin hoga kabir. tujhe kya lagta hain divya mujhse kabhi pyaar bhi karegi. aaj bhi uske dil mein mere liye utani hi nafraat hain jitani pehle thi. kabhi na khatam hone wali nafraat.

kabir- bus aakhri baar meri baat maan le mere dost dekh lena ek din sab theek ho jayega. aaj bhi divya ke jakhm bharey nahin hain. is waqt usey tere sahare ki zaroorat hain. aaj bhi wo ander hi ander ghoot rahi hain. uska jo dil mein aaye kehne de tu uski baateion ka bura mut manana. jab mann mein saari kadwahat nikal jayegi tabhi to uske mann mein pyaar ka janam hoga. fir dekhna ek din aisa aayega ki divya khud tere bagair nahin reh payegi.

aslam- yaar din mein sapne nahin dekna chahiye. aur tu mujhe wo sapne dikha raha hain jo kabhi poorey nahin honge. theek hain aakhir tere siwa hain ki kaun. ek baar aakhri koshish bhi kar ke dekh lete hain.

thode deer ke baad aslam ghar mein aata hain. divya aabhi bhi puri tarah se theek nahin hui thi aur wo kitchen mein bartan dho rahi thi. aslam uske paas jata hain aur thodi himmat juta kar kehta hain.

aslam- tumhein doctor ne aaram karne ko kahan hain. rehne do aabhi jab tabiyat theek ho jaye to baad mein ye bartan dho lena.

divya ek nazar aslam ko dekhti hain fir apne haath dhokar aslam ke nazdeek jati hain- aakhir tum chahte kya ho. kyon tum mujhe chain se jeenay nahin dena chahte. aur tum ho kaun. aur mere saath tumhara kya rishta hain. tum kis adhikaar se ye baat mujhse keh rahe ho. tum bus nafraat karne ki cheez ho aur aaj ke baad mere mamle mein dakhalandazai karna bhi mut. main tumhari koi gulam nahin hoon ki jo tum kahoge wo main karungi.

divya ki aisi baatein sunkar aslam ka gussa control ke bahar ho jata hain aur agle hi pal ek karara thappad divya ke galon par padta hain. divya ke aankhon se aansoon chalak padtey hain. wo daudkar apne room mein bister par jakar foot foot kar rone lagti hain.

aslam ka bhi mood kharab ho gaya tha wo bhi ghar ke bahar nikal jata hain aur seedha jakar ek sharab ki bottle kharidta hain fir wahin baith kar sharab peenay lagta hai. sharab ke nashe mein wo anap shanab bake jaa raha tha.-- aakhir sali aapne aap ko samajhti kya hain. main chup hoon to iska matlab main durr gaya. sali teri jaisi ladki ki kya awaqat hai ki aslam ko aankh dikha sake.

raat ke kareeb 10 baje they. aslam aabhi tak ghar nahin aaya tha. divya ka bhi ro ro kar bura haal tha. aaj tak uske upar kabhi bhi kisi ne haath nahin uthaya tha. upar se uski tabiyaat bhi kharab thi. usko aslam par bahut gussa aa rah tha. idher aslam sharab ke nashe mein dhut aaj bhi viraan sadkon par idher udher bhatak raha tha. aaj bhi uske ek haath mein sharab ki bottle thi. aaj bhi wo usi gali se gujar raha tha jab pehli baar usey wo fakir mila tha.

aaj bhi wo fakir wahi baitha hua tha. wo aslam ko dekhkar turant pehchaan leta hain aur uske kareeb jata hain.

fakir- beta aaj itne dinon ke baad tumko is halat mein dekh raha hoon. sab khairiyaat to hain na.

aslam- baba ye duniya bahut buri hain. yahan sab apne matlab ke yaar hain. yahan koi kisi ka nahin hain.

fakir- kuch hua kya beta. lagta hain tum is waqt bahut takleef mein ho. mujhe batao agar mujhse kuch ho payega to main zaroor tumhari madad karunga.

aslam ek nazar fakir ko dekhta hain fir saari baatein ek ek kar poora vistaar se bata deta hain.

fakir- beta jo hua wo theek nahin hua. par aab usko badla nahin ja sakta. divya ko tumhare parti nafraat swabhiwik hain. tumne uske dil ko bahut bada thesh pahunchaya hain. ho sakta hain uske jakhm itne jaldi na bhare. magar aaj jo tumne uspar haath uthaya ye tumne bilkul aacha nahin kiya. beta is waqt ye tumhare liye mushkil ghadi hain magar iska samna tumhein khud hi karna hoga. dhairya rakho beta ek din aisa bhi aayega ki yehi mushkil ghadi tumare liye vardaan sabit hogi. upar wala kabhi kisi ke saath anyay nahin karta. tum bus uski choti choti khusiyon par dhyaan do. har ladki ki yehi tamanna hoti hain ki koi usey dil-o-jaan se pyaar karein. is waqt usey pyar ki zaroorat hain nafraat ki nahin. aur ek baat jaan lo beta agar divya aaj tumse jitni nafraat karti hain wo agar tumse pyaar karegi to uske pyaar mein utani hi gehraai bhi hogi.

ye prakitik ka niyam hain. jab raat hoti hain to subeh bhi hota hain usi tarah har dukh ke baad sukh milna bhi nishit hain. bus tum dhairya rakho dekh lena upar wala ek din sab theek kar dega.

aslam- wo to theek hain baba par aaj main ghar nahin jawonga. aur ghar jawonga bhi to kish mooh se.

fakir- nahi beta wo tumhara raah dekh rahi hogi. wo bhale hi tumse kitani nafrat kyon na karti ho par kahin na kahin wo tumhare ghar lautne ka usko intezaar rehta hoga. ja beta is waqt wo bilkul akeli hain jawo aur jakar tham lo uska daman wo bhale hi tujhe kuch kahe magar tum uski nadani samajh kar uski har galti ko maaf kar dena.

aslam fir us fakir ka sukhriya ada karta hain aur ladhkhahte hue kadmon se apne ghar ki taraf nikal padta hain. dil mein hazaron sawal liye wo apne ghar ki taraf badh raha tha. kya hoga jab wo apne ghar pahunchega. pata nahin divya uske saath aaj kaisa pesh aayegi. wo baat to nahin karegi ye aslam bhi janta tha magar dil mein apne aap ko samjhate hue wo bus apne ghar ki taraf badh raha tha. kahin na kahin usey bhi apne dost aur us fakir ki baateion par sachaayi nazar aa rahi thi. wo bus isi aas mein tha........ pata nahin aane wala waqt usey kis mod par le jane wala tha............................................

______________________________
 
Update-17

---------------

Fakir ki baat sach thi. divya bhale hi aslam se kitani bhi nafrat kyon na karti ho par har raat wo aslam ke ghar lautney ka intezaar karti thi. aaj itani raat ho gayi thi aur aslam aabhi tak ghar nahin aaya tha. kahin na kahin divya ke dil mein durr baith gaya tha ki aaj kya wajah thi ki aslam aaj itni raat tak ghar nahin lauta tha. usey to lag raha tha ki subeh ki wajah se shayad wo aaj ghar nahin aayega. tabhi thode deer mein darwaza khatkhatane ki awaaz aati hain.

divya ke dil mein ek taraf thodi khushi to dusari taraf aslam ke prati nafrat ke bhav ek saath ubhartey hain. wo jakar darwaza kholti hain. samney aslam nashe mein darwaze ke paas khada tha. wo kuch bolta nahin aur chup chaap kamrey mein aa jata hain.

divya- main poochti hoon kahan they tum is waqt. thodi bhi chinta hain kya tumhein. aur itani raat tak tum kahan they. divya ke aise sawal sunkar aslam lagbhag chaunk jata hain. wo to kabhi bhi divya se aise sawal ki umeed bhi nahin kiya tha. wo to yehi soch raha tha ki aaj bhi divya ek shabdh nahin bolegi.

divya- aise kya ghoor ghoor kar dekh rahe ho. aur haan aaj ke baad is ghar mein sharab peekar aana mana hain. agar peena bhi hain to bahar peena. aur itna bolkar divya apne room mein sone chali jati hain.

aslam ko aabhi bhi vishwaas nahin ho raha tha ki divya ne aaj zindagi mein pehli baar ussey baat ki hain. wo jhat se sharab ki bottle ko bahar fenk deta hain aur apna mooh haath dhokar divya ke paas jata hain.

aslam- mujhe maaf kar do divya aaj maine tumpar apna haath uthaya. main iske liye sharminda hoon. aage se aisa nahin hoga. divya ek nazar ghoor kar aslam ko dekhti hain fir wo chup chaap apne bister par so jati hain. aslam ke dil mein aaj sukoon tha. wo ander hi ander bahut khus tha. usey to samajh mein nahin aa raha tha ki aaj divya ke ander aisa badlaav kaise aa gaya. kafi deer tak wo divya ke bare mein soctha hain fir wo bhi so jata hain.

subeh divya roz ki tarah apne kitchen mein kaam kar rahi thi. aslam uthkar fresh hota hain. wo baar baar divya ko ek nazar dekh raha tha. thodi himmat karke wo divya ke paas jata hain aur jakar jhat se divya ka haath pakad leta hain. aslam ke aise haath pakadney se divya lagbhag chawnk jati hain.

divya- maine kahan chodho mera haath. tumhein mujhe chooney ka koi haq nahin hain. tumse kya maine do baatein bol di tumne to mera aab haath hi pakad liya.

aslam jhat se diva ka haath chodh deta hain- mujhe maaf kar do. aage se aisa nahin hoga.aslam ke chehre par sharmindigi ke bhaav they. divya kuch bolti nahin hain aur chup chaap apna kaam karne lagti hain. thodi deer ke baad aslam bhi ghar se bahar nikal jata hain.

kareeb 10 baje wo wahi bahar baitha hua tha tabhi wo divya ko bahar jate huey dekhta hain. divya bhi usko ek nazar dekhti hain fir apna mooh fer kar apne raaste nikal jati hain. wahin samney wo sabji ki dukaan par jati hain aur jakar sabzi lene lagti hain. jab sab sabzi le leti hain tab aslam bhi wahan pahunch jata hain.

divya- ktina hua bhaiya.

sabziwale- memsaab 146 rs.

aslam ko jab sabzi wala dekhta hain to uske chehre ka rang badal jata hain. divya apne purse se paise nikal kar us sabzi wale ko deti hain. magar sabziwala samajh jata hain aur wo paise lene se inkaar kar deta hain.

sabziwala- hum aapse kaise paise le sakte hain memsaab. aslam to yahan ka bhai hain aur yahan par inka hi raaz chalta hain. aap le jawo saman. humein paisey nahin chahiye.

divya ek nazar sabzi wale ko dekhti hain fir aslam ki taraf dekti hain- aab tak inka dadagiri chalta tha. aaj ke baad yahan par ye sab nahin chalega. agar aapne paise nahin liye to main ye saman nahin loongi. aur divya jane ke liye mudti hain tabhi sabzi wala divya ko rok leta hain.

sabziwala- theek hain memsaab jaisi aapki marzi. fir divya wo paise dekar apne ghar ki ore chal deti hain tabhi aslam uske samney aakar khada ho jata hain.

divya ke nazar aslam ko ghoor kar dekhti hain fir bolti hain- kya main pooch sakti hoon is tarah se mera raasta rokney ka kaaran. ye durr aur khauff kisi aur ko dikhana. aab main tumse darney wali nahin hoon. aur haan ye tum apna jhoota shaan kisi aur ko dikhana. tumhein kya lagta hain ki yahan par log tumhari izzat karte hain. mann mein ye sab gaali dete honge aur wo sab to tumko badh-duwa dete honge. aur aaj inke dil mein tumhare liye koi izzat nahin hain. bus tumhare khauff ki wajah se ye log tumhein jhoota izaat dete hain. agar itna hi rutba aur shaan ka shauk hain to jawo aur jakar mehanat aur imandari ki roti khakar dekho. tumhein sukoon to milega. aaj tumhara ye wajood hain ki kal ko tum murr gaye to koi nahin hain tumhare aage peechay rone wala. main bhi nahin. aur haan ye mat samajhna ki main tumhari biwi hoon to tum mujhpar apna haq jamawoge. zabardasti se tumne mere jism to paa liya magar dil se mujhe kabhi nahin pawoge. aur itna bolkar divya wahan se apne ghar ki taraf nikal padti hain.

aslam chaah kar bhi ek shabdh nahin bol pata aur chup chaap khade khade divya ko jata dekhta hain. aaj jo baat divya ne ussey kahin thi wo usey bura to bahut laga magar divya ne jo baat kahin thi wo bilkul sach tha. aslam wahi chup chaap baith jata hain aur divya ki kahi ek ek baat ko sochney lagta hain. aaj tak ye sab baatein uski aami aur aabu ne na jane kitani baar kahi thi magar aaj tak aslam ne kabhi bhi unki baatoein ko seriously nahin liya tha magar aaj aisa kya hua tha jo divya ki kahi ek ek baat ko wo dil pe le raha tha. itna to tay tha ki aaj aslam ke dil mein divya ke prati pyaar janam le chuka tha. wo aab diya ko chahney laga tha. wo aab hamesha uske baare mein hi socha karta hain. uski har khushi ka khyaal rakhta tha. isl iye usey divya ki kahi hui ek bhi baat buri nahin lga rahi thi.

aab tak aslam ke ander kaafi badlaav aa gaye they. wo aab gundagardi bhi bahut kum kar chuka tha. wo aaj in sab baatein par sochney lagta hain aur fir dheere se muskura kar wo wahan se apne ghar ki taraf nikal jata hain.............................................

______________________________
 
Update-18

-------------

aslam jab ghar pahuncta hain to divya ghar ka kaam kar rahi thi. wo wahin kitchen mein jakar chup chaap uske paas khada ho jata hain. divya ek nazar aslam ko dekhti hain fir se apne kaam mein lag jati hain. magar is baar aslam wahan se hatata nahin hain aur bus divya ko aise hi dekhte rehta hain. divya aslam ko aisa apni taraf dekhtey hue sharma jati hain.

divya- aise kya ghoor ghoor kar mujhe dekh rahe ho. kabhi mujhe dekha nahin kya???

divya ke aise sawal se aslam chaunk jata hain aur apni nazrein neechi kar leta hain. - kuch nahin wo main soch raha tha ki................

divya sawal bhare nazreion se aslam ke taraf dekney lagti hain- kya soch rahe they..... aur fir divya khaomsh ho jati hain.

aslam dheere se uske nazdeek aata hain aur uske ek dum paas khade ho jata hain- main aaj ke baad ye sab chodh doonga tumhare khatir. main aaj ke baad mehnat aur imandari ki roti khaunga. agar tum mera saath do to......

divya ko kuch samajh nahin aata ki wo aslam ke baat ka kya jawab de- main kaun hoti hoon tumhari.....tumhari marzi tumko jo aacha lage. aur divya wahan se dusare kamrey mein jane ke liye mudati hain tabhi aslam uske samney aakar khada ho jata hain.

aslam- mujhe maaf kar do divya. mujhe jo saza deni hain de do magar tum aise khamosh mat raho. tumhari ye khamoshi ek din meri jaan le legi. main tumhein aise khamosh rehta nahin dekh sakta.

divya- tumne to mujhe us din hi jeete ji maar diya tha jab tumne meri izzat looti thi. tumne to ek bhi pal ke liye ye nahin socha ki meri izzat loot jane ke baad mera kya hoga. main tumhare samne haath jodkar apni izzat ki bheekh mangti rahi magar tumne to bilkul meri parwaah nahin ki. main poochti hoon aakhir mera kasoor kya tha. bus yehi na ki maine kanoon ki madad ki. aur is goonge samajh mein apni awaaz uthayi. aur shayad meri isi awaaz uthane ki mujhe ye saza mili. mujhe nahin pata tha ki mujhe insaaf ki ladai ladney ke liye mujhe itni badi keemat chukani padegi. main kitani khus thi. meri bhi hansti khelti duniya thi. mujhe kisi se koi lene dena nahin tha. nafraat kya hoti hain ye main janti tak nahin thi.

magar tumhari wajah se mere ander nafrat ka janam hua. kal tak jo duniya mujhe bahut aachi lagti thi aaj wahi duniya se mujhe nafraat ho gayi hain. aur tum kehte ho ki main khamosh kyon hoon. aaj is dil mein tumhe wo ghaav bhar diya hain jo shayad kabhi na bhare. aaj main poori tarah se toot chuki hoon. aur aab mere jeena ka bhi koi maksaad nahin hain. main to yehi sochti hoon ki itna sab kuch hone ke bawjood main aakhir zinda kyon hoon. kum se kum mar jati to is paap se azaad to ho jati.

magar tum kya jano ki ek ladki ke kya sapne hote hain. aur jab wo sapne toot jate hain to bahut takleef hoti hain. aaj to mujhe kuch kehne aur sunney ko tumse bacha hi kya hain. aaj meri tabahi ke zimmedaar sirf tum ho. aaj bhi mujhe tumse utani hi nafraat hain jitani pehle thi aur itna kehkar divya foot foot kar roney lagti hain. aslam chaah kar bhi ek shabdh kuch nahin bol pata. aur chup chaap wahi khamosh khada rehta hain.

aslam- main tumhara gunehgaar hoon divya magar mere gunahon ki saza tum apne aap ko mat do. bhale hi tum mujhse kitani bhi nafraat karo magar mujhse kuch to bolo. tumko aise khamosh dekhkar mere dil mein hamesha ek dard ubharta hain aur itna bolkar aslam fauran ghar se bahar nikal jata hain. divya unhi khamosh aslam ko jata hua dekhti hain apne aankhon se behtey hue aansoon pochney lagti hain. divya aisi hi gumsum si khamosh chup chaap apne ghar mein baithi rehti hain.

udher aslam bhi ro raha tha is wajah se wo fauran ghar se bahar nikal gaya tha. tabhi wahan par kabir aa jata hain.

kabir- kya baat hain aslam aaj fir teri aankhon mein aansoon. aaj bhi divya ne kuch kaha kya.

aslam- nahin yaar aaj divya ne mujhe kuch nahin kaha balki aaj maine uske dard ko mehsoos kiya hain jo maine usey diya tha. aaj maine uski bhavnavon ko samjha hain. yaar mujhe to khud par hairani ho rahi hain ki main aaj tak kisi ki feelings ko kaise nahin samajh saka. shayad mujhe bachpan se wo pyaar hi nahin mila jiske wajah se main ye nahin jaan paya ki pyaar kya hota hain. aaj pehli baar maine divya ke ander chupey uske armanon ko jana hain. uski bhavnavon ko pehchana.

kabir- yaar tu itna sab kuch kaise soch sakta hain. aab to tere mooh se aisi baatein sunkar tujhe to koi nahin keh saktaki tu wahi mashoor gangster aslam khan hain.

aslam- yaar mazak mat kar. aab main sach mein wo sab nahin karunga. maine divya se bhi ye baat bol diya hain. chal mujhe fatafat mujhe koi kaam dilwa. aaj se main bhi to dekhon ki mehnat ki roti kya hoti hain. aaj main bhi imandari ki roti khana chahta hoon aur itna bolkar aslam kabir ke gale lag jata hain.

kabir- yaar mujhe pehle maloom hota ki tu shadi ke baad itna badal jayega to main teri shadi bachpan mein hi karwa deta. kum se kum to bigadta to nahin. yaar sach kahun bhabhijaan to sach mein bahut hi powerful hain jo tere jaise bande ko patri par lakar khada kar diya. chal mere saath dekhta hoon tere layak koi kaam hota hain to main zaroor dilwa doonga.

fir kabir aslam ko do teen jagah chote mote factory mein le jata hain aur wo log aslam ko dekhkar hi kaam par rakhney ko mana kar dete hain. fir jakar ek factory mein usey badi mushkil se kaam milta hain. kaam to labour grade ka tha magar aslam us kaam se bhi khush tha. wo khushi khushi apne ghar aata hain..

aaj aslam ke dil mein divya ke prati pyaar aur badh gaya tha wo aaj bahut khus tha. aur wo janta tha ki der saber divya ke dil mein uske prati jo nafrat hain wo ek din mohabaat mein badal jayegi. aab wo pehle se jyada divya ke liye bechain ho gaya tha. aaj pehli dafa wo masjid bhi gaya tha magar apne liye nahin balki divya ke liye. aaj usey us rab par bhi vishwaas hone laga tha......shayad yehi to pyaar tha......................................................

______________________________
 
Update-19

-------------

dusare din aslam subeh uthatha hain fir fresh hokar wo apne kaam par nikal jata hain. aaj uska pehla din tha. wo jakar apne kaam par lag jata hain. shaam tak kaam karne ke baad wo wapas ghar aata hain. aaj uska pehla din tha iske wajah se uskey malik ne usey 500 rs advance diya tha. ye aaj aslam ki pehli kamai thi. aaj uske chehre par sukoon bhi tha aur khushi bhi. wo un paison se divya ke liye sadi kharidta hain aur khushi khushi apne ghar ki ore chal deta hain.

divya roz ki tarah kitchen mein apne kaam mein vyast thi. aslam divya ke peechay jakar khada ho jata hain. divya ek nazar aslam ko dekhti hain fir uski nazar uske haathon par jati hain. aslam ke haathon mein wo saadi dekhkar ascharya se usey dekhney lagti hain.

aslam- divya main tumhare liya ye saadi laya hoon. please inkaar mat karna. aaj pehli baar ye meri mehanat ki kamai ka hain. isey rakh logi to mujhe bahut khushi hogi. agar tumhein lagta hain ki main jhoot bol raha hoon to mere in haathon ko khud hi dekh lo. fir aslam apne dono haath divya ke samne kar deta hain. aaj hathodey chalaney ki wajah se aslam ke haathon par challey pad gaya they aur jagah jagah uske haath kat bhi gaye they. divya bade gaur se aslam ke haathon ko dekhney lagti hain. usey to yakeen hi nahin ho raha tha ki aslam uske liye itana badal jayega.

divya kuch kehti nahin aur wo sadi le leti hain aur aslam mann hi mann khush hokar wo apne kamrey mein chala jata hain. thodi deer mein divya aslam ke paas aati hain. uske haathon mein dettol ,haldi, aur tel ki shishi thi. wo aakar jameen par aslam ke paas baith jati hain aur aslam ke haath aage badhane ka ishara karti hain. ye aslam ke liye bada surprise tha. usey to yakeen nahin ho raha tha ki jin haathon ne divya ki aabroo looti thi aaj unhi haathon mein wahi ladki uske zakhmon par malham lagayegi.

divya fir rui lekar pehle dettol se aslam ke haathon ko saaf karti hain. fir wo haldi aur tel milakar uske zakhmon par dheere dheere wo haldi lagane lagti hain. ye sab dekhkar asalm ke aankhon mein aansoon aa jate hain. wo apne jazbaat ko rok nahin pata aur bus uski aankhon se aansoon nikalte padtey hain. divya ki jab nazar padti hain to wo bhi thodi si bhavuk ho jati hain magar kuch keh nahin pati. aaj aslam ko bhi is baat ka andaza ho gaya tha ki aaj divya ke dil mein uske liye nafraat ki jagah thoda sa pyaar ka janam ho gaya hain. wo bhi bus divya ke masoom chehre ko bade pyaar se dekney lagta hain.

divya fir kitchen mein chali jati hain aur jakar apne kaam karne lagti hain. kareeb 9 baje aslam ghar ke bahar jane ke liye nikalta hain tabhi divya usey rok leti ain.

divya- kahan ja rahe ho tum????

aslam- wahin hotel mein khana khane ja raha hoon.

divya- aaj ke baad tumhein bahar khana khane ki koi zaroorat nahin. maine tumhare hissey ka khana bana diya hain. aab se tum ghar par hi khana kha lena. aab jakar khana kha lo. aur divya itna bolkar sone chali jati hain. aaj aslam ke liye ek aur bada surpirse tha. aaj pehli baar wo divya ke banaye haathon ka khana khane wala tha. wo jhat se apne haath dhokar kitchen mein jata hain aur khana nikal kar khane lagta hain. divy ke haathon mein jadu tha wo aisa swadist khana kabhi nahin khaya tha. wo dheere dheere poora khana khatam kar deta hain. fir jakar apne bister ke paas aakar baith jata hain.

aaj bhi divya neechay farsh par apna bister lagakar soyi hui thi. usey bilkul aacha nahin lagta tha magar wo aaj himmat karke wo badi mushkil se bolta hain- divya agar bura na mano to tum yahan upar so jawo aur main yahin neechay so jata hoon. mujhe aacha nahin lagta tumhein aise neechay sota hua dekhkar.

divya ek nazar aslam ko dekhti hain magar kuch nahin kehti aslam bhi kuch nahin keh pata aur chup chaap apne bister par let jata hain. aaj uski aankhon mein neend kahan thi. wo aaj na jane kitani baar apne in haathon ko dekh chuka tha. divya ka wo sparsh uska wo haldi lagana baar baar uske mann ko romanchit kar deta tha. aab usey poora vishwaas ho gaya tha ki aaj divya ke dil mein uske liye thodi si jagah ban gayi hain. wo bhi janta tha ki aane wale waqt mein divya ke dil mein uske prati pyaar aur badh jayega.

dusare din aslam ghar par hi tha. aaj sunday tha is wajah se uska chutti tha. wo ghar ke bahar chala jata hain. thode deer ke baad divya bhi market jati hain aur jakar sabzi khareednay lagti hain. aslam usey wahi door se baith kar divya ko bade pyaar se dekh raha tha. tabhi do mawali type ke aadmi divya ke paas aate hain aur ussey satkar wahin khade ho jate hain.

pehla- yaar aaj to is sabzi wale ke bhi bhagya khul gaye hain jo aisi pataka aaj sabzi lene iske dukan par aayi hain. itna sunkar divya ghoor kar us aadmi ko dekhti hain magar kuch keh nahin pati. tabhi dusara aadmi divya ka dupaata uske haathon mein leta hain aur ek jhatkey se usey divya ke seenay se hata deta hain. divya sharam se apni nazrein neechay kar leti hain aur uski aankhon mein aansoon aa jate hain. dusara aadmi uske dupaate ko apni haathon mein lekar usey apne honton se chomney lagta hain aur pehla aadmi aage badhkar divya ke kamar mein apna haath dal deta hain. din dahade unki himmat ko dekhkar divya kya wahan maujood sabhi aadmi chup chaap tamasha dekhney lagte hain. magar koi bhi aage badhkar divya ki madad nahin karta. fir divya ek nazar aslam ke taraf dekhti hain magar aslam usey kahin dikhayi nahin deta. wo wahan aslam ko na pakar uska durr aur badh jata hain.

sabziwala bhi ek baar thodi himmat kar ke undono se kehta hain ki is ladki ko chodh do jante nahin ho ye kiski biwi hain.........aslam khan ki. agar usney yahan tum dono ko dekh liya to chalne firne ke layak bhi nahin rahoge. magar wo dono uski baateino ka koi parvaah nahin karte.aur pehla sakhsh us sabzi wale ka collar pakad leta hain. tabhi dusara aadmi jhat se divya ka haath tham leta hain tabhi divya gussey se us aadmi ke gal par ek chata maar deti hain. chahta padtey hi wo aadmi gussey se baukhala jata hain aur divya ko aage badhkar uske kapdey ko fadney ki koshish karta hain.

us aadmi ka naam raghu tha- tu janti nahin aaj tune raghu par haath uthata hai aaj tujhe yahin in sab ke beech teri izzat sabke samney utarunga dekhta hoon kaun mai ka laal aata hain tujhe bachane ke liye.

raghu aage badhta hain issey pehle ki wo divya ko dubara choo bhi pata tabhi uske kamar par zor ka laat padta hain aur wo wahin zameen par mooh ke bal gir padta hain. tabhi uska saathi raghav samney aata hain. samney asalm khada tha.

raghu zor se chilla padta hain- kisne mujhe mara aaj sala yahan se zinda nahin bach kar jayega. itna kehte hi raghu ek kaata nikla leta hain.

aslam- main kehta hoon ki dupatta seedhi tarah se mere hawale kar de warna trea wo haal karunga ki sahi se ghar bhi nahin jaa payega.

raghav- chal fir himmat hain ho aakar chen le ye dupaata. aabhi pata chal jayega ki tere mein kitana dum hain.

aslam ek nazar divya ki taraf dekhta hain . divya aabhi bhi sir jhukaye ro rahi thi. aaj aise divya ke aankhon mein aansoon dekhkar aslam ka dil chalni chalni ho jata hain. waise bhi divya ko pehle hi wo itne ansoon de chuka tha aaj fir se usko rota hua dekhkar uska gussa control ke bahar ho jata hain. shayad ye dono aslam ko nahin jante they. agar jaan jate to wo aisi galti nahin karte. aslam to aab kafi hadd tak sudher gaya tha magar usney haath uthana nahin bhoola tha aaj bhi uske inhi haathon mein wo taakat thi jo kisi bhi dushman ka kalega cheer sakta tha. dekhna ye tha ki aslam ka gussa in dono par kitna bhari padney wala tha...................................

______________________________
 
Back
Top