Update 60
yaha radha ke apartment main jab radha ne omkar ke liye darwaja khola to wo full avtar main thi..baal khule aur bikhre huye the aankhen ro ro ke laal ho gayi thi hath main do teen tissue papers the
"you ok??' omkar ke ander aate huye pucha
"hmm aur sorry ghar main thoda pasara hai" sofe par se kapde aur books uthate huye radha boli
"its ok..bolo kya hua"
radha ne kuch na bolte huye ek envelope main se divorce ki notice omkar ke hath main de di...omkar sofe par baitha aur puri notice padhi
"this is sad yaar..anurag jaise responsible aur respected aadmi se ye umeed nahi thi" notice padhne ke baad omkar bola
"dekho na..divorce ke liye hum dono hi tayar the..fir aise jhuthe nichle darje ke aarop karne ki kya jarurat thi?" radha ki aankhen bhar aayi.."aur sabse sad part ye hai ke ye notice mere ghar ke address par bheji thi..ye...ye sab padh ke mere mom dad ko kya laga hoga?"
"radha pehle tum shant ho jao..main peg banata hu..kya logo?" omkar sofe se uthte huye bola
"antiquity 90..on the rocks.." radha ne kaha
omkar ne whisky ki bottle nikali aur dono ke liye do peg banaye
"anurag aur main dono 2 saal sath the om..use itna to samajhna chahiye tha ke main itna niche nahi girungi..waha gokarn me main un hippi logoke sath sone ke liye nahi reh rahi thi..am I a bitch om?" radha ne subakte huye kaha
"radha.. maine tumhe kaha na..its all a blame game..use sirf ye sabit karna hai ke wo sahi hai aur tum galat aur isi wajah se divorce ho raha hai" omkar ne radha ko smjhate huye kaha
radha ne apna peg khatam kiya aur dusra banaya
"I agree par main ye sab chup chap manya kar lu?? waha family court main divorce ke samay mere mom dad bhi honge...usnke samne main manya kar lu ke ye sab sach hai?? aur agar maine ye baate manne se mana kiya to case lamba khichta jayega..."
radha ne ab tak apna dusra peg khatam kar lliya tha aur teesra bana liya tha
"radha...sambhalke...don't overdrink ok??" omkar
par radha ka omkar ki taraf dhayan hi nahi tha mano wo khud se hi baat kar rahi thi..usne teesra peg bhi khatam kiya ..whisky ka wo pg uske gale ko jala raha tha..usne glass table par rakha aur apne baal sambhalte huye khurchi ki taraf sarki aur uska balance bigda
"radha...sambhalkar..."omkar pat se sofe se utha aur radha ko smbhalkar sofe par baithaya..radha ne dukh se apni aankhen band kar li
"omkar kya sach main maine jindagi ke bare main decision lene main galti kar di?"
"nahi radha..hamari jindagi ke malik hum hote hai...fir hamare decision hame hi safal karne hote hai galti ho gayi to rasta badal lo par manjil ka picha nahi chutna chahiye" omkar
'kitna acha bolte ho yaar tum....writer ho na isiliye achi bate kar lete ho mer kya? mere dimag main to kachra bhara hai" radha
radha sofe par thodi jhuk kar omkar ke kandhe ko tik kar baith gayi aur omkar ke dil ki dhadkan badh gayi
"maine sari jindagi bas apne bare mian socha hai om..mujhe kya chaiye bas is bare main ...auro ke bare main kabhi socha hi nahi..par ab samajh main aata hai isiliye main akeli hu...jiske paas dil khol ke baat ki jaye jisse salah li jaye aisa koi hai hi nahi...ab is akele pan se ub gayi hu main..aur jab aajye haal hai to aage kya hoga..aisa lagta hai...aisa lagta hai koi chahiye ath main.." radha
achanak usne aankhen khol ke omkar ki taraf dekha
"yad hai...us din beach par maine kya kaha tha?"
"kya?"
"I...Love...you..om aisa hi kaha tha na.."
"hmm.."
"I still love you omkar..I want you in my life....not just for sometime but for life time..banoge mere??"
omkar is baat se ekdum badhir ho gaya tha
"kiss me deep om I want to live in this moment..please kiss me.."
radha ne aqpni aankhen band kar li
"radha mujhe lagta hai tum hosh main nahi ho..hum baad main baat kare??"
"come on om its just 3 pegs.meri capacity itni kam bhi nahi hai main pure hosh main hu...dekho main seedi khadi hu" radha sofe par se uth kar khadi ho gayi
"hmm"
achanak radha apne ghutno par baithi aur omkar ka hath apne hath main lekar boli.."lets get married?"
wahi dusri taraf rima aur ashish traffic se bachte bachate huye radha ke ghar ke paas pahuche
"shit!! ashish hame 1 ghanta laga gaya yaha aane main" rima
"hmm..par koi baat nahi omkar ab bhi yahi hai wo dekho uski gadi"parking main om ki gadi ki taraf ishara karte huye ashish bola
"ha..chalo ab jaldi"
lift ki raf na dekhte huye wo dono seedhiyo se radha ke flat ke samne pahuche aur bell bajayi..thode samay baad radha ne darwaja khola
"oh..hi...ashish..rima" dono ko dekh kar chaukte huye radha ne kaha
"omkar hai??"ashish
"ha wo yahi hai..kyu?..kya hua??"
tab tak ashishka awaj sun kar omkar bhi bahar aa gaya tha aur ashish aur rima dono uska chehra padhne ki koshish kar rahe the
"ashish? kya hua aur ander aao na.." dono ko ander bulate huye omkar ne kaha
"coffee?" radha ne pucha
"a..nahi.." rima
"arre lo yaar main abhi bana hi rahi thi..baitho main abhi do minute main aati hu" aur radha waha se chali gayi
"tum dono yaha kaise aa gaye?" omkar ne pucha
"om everything alright??" ashish ne bhi sawal kiya
"ha bilkul..kyu?"
"nahi..tumne kaha tha na..problem hai.radha ro rahi hai wagaire.." ashish
"hmm..thodi disturbed thi wo par ab sab theek hai" omkar ne haste huye kaha
ashish aage kuch bolta isse pehle hi radha coffee lekar aa gayi..coffee pite huye ashish aur rima ne notice kiya ke omkar aur radha ekdusre ko dekh kar has rahe the aur isharo main baat kar rahe the to ashish bol pada
"agar aise hi tum log isharo mani baat karne wale ho to hum jaye"
"arre sorry sorry yaar baitho" omkar
"actually its too early par hame tum dono ko kuch batana hai" radha omkar ki taraf dekhte huye boli
"kya hua hai.." ashish aur rima ne ek sath pucha jis[par ek bada pause ke baad radha boli
Update 61
"we are getting married" radha ne ek baar fir jor se chillakar kaha par ashish aur rima shock lage jaise unhe dekh rahe the
"are you not happy"radha ne chidh kar ashish se pucha
"yes...yes..I am par ye sab kab hua?" ashish
"abhi...just kuch minto pehle" omkar
"par radha tum to shadi ke liye tayar nahi thi..tumhara career.....freedom..tumrahi terms aur conditions.." ashish
"we will work it out..thoda compromise karna hi padega thodamujhe aur thoda om ko...par hum dono uske liye tayar hai" omkar ka hath pakadte huye radha boli
"par pehle to tum is baat ke bilkul oppose main thi?" rima
"ha par ab nahi..time change priority change.." radha ne kaha
"tumne maa babuji se baat ki hai om??" ashish
"nahi..filhal nahi..par main baat kar lunga jald hi" omkar
"aur agar wo tayar nahi huye to.." rima
"hang on!! hame hamari shadi main koi problem nahi dikh raha hai to tum dono kyu itne hyper ho rahe ho" radha ne chidh kar kaha
rima ne kuch bolne ke liye apna muh khola to ashish ne uska hath daba kar use chup kar diya..
"ha ye bhi sahi hai ...good..we are happy for you: ashish ne uthte huye kaha.."anyways carry on hum nikalte hai"
"arre par tum itni gadbad main aaye kyu the" omkar ne pucha
"hum movie ke liye puchne aaye the par chhodo ab kafi late ho gaya hai jab tak pahuchenge show suru ho chuka hoga" ashish ne rima ko chalne ka ishara kiya
dono jane ke liye uthe to omkar ne ashish ko gale laga liya
"I hope you know what you are doing" ashish ne halke se omkar ne kaan main kaha aur wo waha se chale gaye..
*********
"so??" ashish aur rima ke jane ke baad radha omkar ki baho main samate huye boli " tumhe tumhari book ka ant mil hi gaya akhir"
"finally.." omkar ne haste huye kaha
"hamari life kitni dynamic hoti hai na matlab subah uthte samay socha bhi nahi tha ke aaj ka din aise khatam hoga" omkar
"exactaly..mujhe aisi hi life pasand hai om..unplanned..jindagi ke har mod par lage ke aage kya hoga..aur life hame aise alag alag surprise de..aise planning karke nahi jina hai mujhe...I hope you understand me.." radha
"ab jab decide kar hi liya hai to iska bhi maja lenge" omkar
"omkar..."achanak kuch yaad aane par radha boli.."tumhari dost hai na..ragini..mujhe usse milna hai"
"ragini?? kyu?"
"om wo tumhe pasand karti hai..I just want to make sure that our decision is not hurting her"
"matlab kuch bhi....hum dono bas ache dost hai"
"hoge..tumhari najro main hoge par uske nahi...ek stri dusri stri ki aankhon main dekh ke bata sakti hai ke uske man main kya chal raha hai..wo jab tumhari taraf dekhti hai na tab uski najre sab bayan karti hai..she loves you."
"ha yaar kya aankhen hai uski.."
"oye mister...mere samne dusri ladki ki tarif kar rahe ho sharam karo sharam" radha ne kaha
omkar ke dimag ne radha ki baat ko najarandaj kar kiya tha par dil main kuch suna suna lag raha tha
"acha wo sab chhodo..main maa babuji ko hamare bare main bata du?" omkar
"nahi..abhi nahi.."
"kyu?kya hua..arre kal kare so aaj kar lenge..wo khush honge"
"nahi omkar..mujhe kafi dar lag raha hai"
"darr kis baat ka?"
"unhe hamara decision pasand nahi aaya to.."
"paagal ho kya...aisa kuch nahi hoga aur babuji ne to meri book puri padhi hai..wo hamare bare main jante hai.."omkar ne itna bol ke babuji ko phone lagaya
*********
"ashish ab hum kya kare?" bahar gadi main baithte huye rima boli
"ha yaar kuch na kuch karna padega kyuki agar ye shadi ho gayi to na omkar khush rahega na radha aur na ragini" ahish
"par hum kya kar sakte hai?"
"mujhe lagta hai hame ragini se milna chahiye...uske liye dus din raah dekhna paagalpan hoga"
"par waha se kisi ko session complete kare bagair aane nahi dete hai wo log pata hai na" rima
"pata hai par koshish to karni padegi..tum ek kaam karo ragini ke ghar se us vipassana kendra ka address pata karo kal hum dono waha chalte hai ok?" ashish
"theek hai par abhi kuch kha le..mujhe solid tension ho rahi hai aur bhukh bhi lagi hai" rima ne kaha aur ashish ne gadi restaurant ki taraf badha di.....
Update 62
"sir...sir...please listen..its urgent...isiliye hum yaha aaye hai hamara ragini se milna jaruri hai..hum jante hai ke 10 din wo kisi se nahi nil sakti par hamara usse milna kafi jaruri hai" ashish reception par ek takle aadmi se baat kar raha tha..
"I am sorry par ye possible nahi hai...humne ye bate pehle batayi thi..abhi do din hi huye hai aur diksharthi ab kahi dhayan lagane laga hai..aapke milne se unka.."
"sir..main ye sari bate janta hu par urgency ke bagair main yaha kyu aaunga.family emergency hai wo mana karti hai to hum chale jayenge" ashish
"aap uske kaun lagte hai aur family emergency hai to uske maa baap kyu nahi aaye?"
"wo nahi aa sakte the wahi to emergency hai..please.."
akhir kuch aniccha se wo aadmi ander gaya aur kuch 15 minbute ke baad ragini bahar aayi.ashish aur rima ne use pehle pehchana hi nahi.....safe rang ka pairo tak aaya gown..khule baal..mathe par chandan ka tika...aur sabse jyada uske chehre par ka shant bhav..ashish aur rima ko dekh ke wo thoda hasi aur bagair kuch bole unhe bahar garden main chalne ka ishara kiya..bahar aate hi ashish ne sidhe mudde ki baat ki..
"ragini..omkar aur radha shadi kar rahe hai.."
par ragini ke chenre par koi bhav nahi aaya mano wo ye baat janti ho....wo kuch nahi boli
"tumhe shock nahi laga?" rima ne ashcharya se pucha
ragini ne garden se na ka ishara kar diya
"tumhe kuch nahi puchna hai ye kab hua kaise hua wagaire?"
"ye emergency thi tum logo ki?" thoda haste hue baat badalte huye ragini ne halke awaj main kaha
"ha aur tumhe abhi ye sab chhod kar kahare sath chalna hoga"ashish
"kyu?"
"kyu? we have to stop them married..don't you love omkar?"
"I do.." do pal shanti ke baad ragini boli
"fir yaha baithe ke kuch nahi hoga" rima
"mujhe jana hoga..8 dino baad mere wapis aane ke baad baat karenge..tumlog jao abhi yaha se" ragini waha se chali gayi aur ashish ne nirasha se apne hath jhatak diya
"ragini please aane ke baad mujhe phone karna" ashish ne kaha jispar ragini ne thumbsup ka ishara kiya aur ander chali gayi
**********
"I am so happy ashish..main radha ko ghar lekar gaya tha maa babuji se milwane" omkar ne kaha
"hmm.."
"maa jyada kuch boli nahi par babuji ache se bole maa bhi bolegi aur choti ko bhi radha achi lagi par wo bhi jyada kuch nahi boli..ragini chahiye thi abhi" omkar ne kaha
"kyu..?"
"kyu kya radha se milwata na use...."
"kyu..?"
"kya baat hai ashish main pichle kuch dino se dekh raha u tum aise ukhde ukhde baat kar rahe ho" omkar ne pucha
"chhod na yaar maine decide kar kiya hai tumhari personal bato ki wajah se apne relation kyu kharab karne..I decided lets be professional"
"par baat kya hai bolega?" omkar
"omkar..tumhe kuch nahi lagta...itne irresponsible kaise ho sakte ho yaar tum..pehle rima.."
"ek minute maine pehle bhi kaha hai maine rima ko nahi chhoda tha aur tum aage kuch bolo usse pehle bata du ke maine radha ko bhi nahi chhoda tha infact humdono ne kabhi ekdusre ko accept hi nahi kiya tha.."
"aur ragini?? aren't you dating with her? aur ab to radha wapis aa gayi hai.."
"hmm manya...I accept ki main ragini ke sath dating kar raha tha..but it was just a plane friendly simple dating...maine kabhi use misuse nahi kiya hum dono kabhi physical nahi huye"
"aur by mind? tum kabhi usme nahi uljhe?acha tumhari baat chhodo wo..wo agar tumse attach hogi to?"
"look ashish maine kabhi use hint nahi di thi....I liked her..anybody will like her..but wo ek attaraction tha pyaar nahi" omkar
"fir ab tumhe ragini kyu chahiye?? kyu use radha se milwana chahte ho?? kya prove karna chahte ho?"
"theek hai tumhe lagta hai main usse nan milu to yahi sahi main nahi milunga usse khush?" aur omkar waha se gusse main chala gaya
Update 63
omkar radha ashish aur rima ek shaam cafe main baithe the
"bolo omkar hame kyu bulaya hai yaha?" coffee ka sip lete huye ashish ne pucha
"agli 26 taarikh ho hum shaadi kar rahe hai" omkar ko rokte huy radha ne kaha
"26? wow..matlab almost ek mahina hi baki hai" ashish
"comgrats! marriage hall wagaire mil gaya?" rima
"a..nahi..hum simple shadi karne wale hai...registered..malab omkar ko to pure dhoom se shadi karni thi.."radha
"uski icha hogi hi pehli shadi hai na uski"radha ki baat beech main todte huye rima boli aur jab radha ko us baat ke piche ka taunt samajh aaya to wo chup ho gayi
"sorry..really sorry I didn't meant it..maine aise hi keh diya" rima ne kaha
"no..its ok...fact hai..meri shadi ho chuki hai..so no hard feelings..anyways..to agle saturday ko hum ek party throw kar rahe hai sab friends ke liye..you both are invited..sham 8.30 baje area-51 main...booze food dance sab rahega" radha ne normal hote huye kaha
"badhiya hai..hum jaroor aayenge" rima
"omkar tumne ragini ko bataya?" radha
"arre ha yaar ashish..ragini aa gayi kya? kab aane wali thi wo?" omkar
"shayad aa gayi hogi do din pehle hi aane wali thi wo..maine call kiya tha par uska phone band aa raha tha" ashish
"ruko main marriot main phone lagata hu shayad desk par hogi wo" omkar ne kaha aur phone lagaya
do ring ke baad usri taraf se wahi jana pehchana madhur awaj omkar ke kano main pada
"good evening...marriot..may I help you?"ragini
omkar kuch nahi bola
"hello...may I help you?" ragini ne dobara pucha
"yes..yes. you can help me.." radha apni taraf dekh rahi hai ye jaan kar omkar bola..ragini shayad omkar ka awaj pehchan gayi thi wo kuch nahi boli
"ragini..kaha ho tum? main kabse tumhe milne ki koshish kar raha hu...omkar here.." omkar
"Oh hi omkar...omkar hum work line par baat nahi karte hai main baad main call karti hu" ragini
"ok ok no problem ashish tumhe phone karke sab bata dega..milte hai jald aur [lease apna phone suru karo yaar"itna bol ke omkar ne phone rakh diya
"kya hua?" radha ne pucha
"arre wo busy hai abhi baad main baat karegi" omkar
"fir ashish ke bare main kya kaha?" radha
"maine kaha ke ashish use party ka venue wagaire bata dega...ashish use bata dena bhai aur aane ka bolna" omkar
"par tum kyu phone nahi kar rahe ho..ashish kyu?" radha
"arre aisa kuch nahi hai..somehow mujhe aisa laga ki use mujhse baat nahi karni hai isiliye...chhodo na ashish tum bata dena use" aur omkar ne ye baat yahi khatam ki
*************
party main radha ke office ke aur kuch omkar ke pehchan ke kuch log maujood the..omkar ne navy blue color ka party wear shirt trouser pehna tha aur radha ne kale rang ka strapless one piece pehna tha...kuch log drinks lene main vyast the to kuch DJ ke taal par naach rahe the...omkar scotch ka glass lekar garden main khada tha
"om..ander chalo sab hame dance ke liye bula rahe hai" radha ne bahar aakar omkar ko kaha
"abhi aaya bas ashish aa jaye usi ki raah dekh raha hu"omkar
"aa jayega wo..aur tumhare bahar khade rehne se jaldi thodehi aa jayega...phone karke puch lo na"
"adhe ghante pehle call kiya tha to ragini ne ghar ke pass pahuch raha tha"
"matlab on the way hai..aa jayega wo chalo tum" aur radha omkar ka hath pakad ke use ander le aayi
dono ke ander aate hi taliyo ki awaz waha goong uthi
"here comes the love couple"
"DJ badhiya romantic song baja de koi"
"come on radha we want both of you on the floor"
waha logo ka awaz gonj raha tha DJ ne badhiya romantic song lagaya..omkar ne radha ke kamar par hath rakh kar use apne kareeb kiya aur dono hi us madhosh karne wale sangeet ki dhun par dance karne man mashgul ho gaye..dheere dheere baki log bhi apne partners ke sath dance floor par aa gaye
in sab main radha ka dhayan vichlit hua jab omkar ki uski kamar par ki pakar dheeli ho gayi..usne omkar ki taraf dekha..omkar ka uski taraf dhayan nahi tha..wo darwaje ki taraf dekh raha tha..radha ne mud kar dekha to waha ashish rima aur ragini khade the....
Update 64
omkar ne un teeno ko dekh ke hath hilaya aur wo aur radha unke paas pahuche
"many many congratulations to both of you"ragini ne apni jani pehchani smile ke sath kaha
'thanks ragini for coming"omkar
"my pleasure..you guys carry on hum baithte hai yaha" kone main sofe ki or ishara karte huye ragini boli
"what baithoge..chalo lets dance"radha ragini ko kheechte huye boli
"a..no..waha sare couples hai...main akeli kya karu"ragini dance floor ki taraf dekhte huye boli
"ohh..fir rima ashish tum log to chalo"radha
"nahi hum rukte hai ragini ke sath you guys carry on" ashish
"arre..Its ok I am fime tum jao "rima aur ashish ko dhakalte huye ragini boli
ragini ko akeli waha chhod ke jane ke bare main omkar bhi thoda unutsahi tha par woradha ke samne kuch bol nahi paya aur akhir main ashish aur rima radha aur omkar ke sath dance ke liye chale gaye aur ragini jakar sofe par baith gayi
panch minute hi bite honge ki radha ki boss avantika aa gayi..radha ne uski pehchan omkar se karwayi aur use drinks wagaire serve karne ke liye apne sath bar counter par le gayi
omkar ne ragini ki taraf dekha to uske paas ek ladka baitha hua tha..usne radha ke taraf dekha to wo avantika ke sath busy thi to omkar ragini ki taraf chala gaya
"maine disturb to nahi kiya na?" omkar ne waha pahuch kar kaha
"oh not at all" omkar ki taraf dekh kar wo ladka bola aur fir ragini ne bola."this is my card call me sometime" aur waha se nikal gaya
"kaun tha wo?us ladke ke jane ke bad omkar ne pucha
"pata nahi..mujhe akeli baithi dekh kar dance ke liye puchne aaya tha"ragini ne sahajta se kaha
omkar ne aaj pehli baar ragini ko kareeb se dekha...gehre laal rang ka slim-fit onepiece usne pehna tha smne table par uski bag rakhi thi baal ekside pin se bandh kar dusri taraf khule chhod rakhe the
"tum bahut alag dikh rahi ho" ragini ka chehra nirakhte huye omkar ne kaha
"alag matlab?" ragini
"matlab batana mukhkil hai par tumhare chehre par ek alag hi glow hai...maybe tumhare vipassana ka asar ho"
"hoga shayad"
"kaisi ho tum?" omkar
"main to ekdum badhiya hu..aate hi kaam suru ho gaya...10 dino ka kaam baki hai"
"I hope we are still friends" kuch pal shanti main bitne ke baad omkar ne kaha aur apna hath aage badha diya
"offcourse..."ragini ne hath milate huye kaha tabhi wohi pehle waha current omkar ne mehsoos kiya
ragini na hath chhode hi na aisa omkar ko lag raha tha par use tabhi radha aate huye dikhi aur usne hath chhod diya
"mujhe bahut baat karni hai tumse..kyu aur kya ye to pata nahi par tum aise 10 din bagair bataye gayab thi tab maine tumhe kafi miss kiya"omkar ne jaldi jaldi kaha..thodi der main radha bhi waha aa gayi
"tum yaha ho aur main tumhe waha dhundh rahi thi"aate hi radha ne kaha aur ek waiter ko ishara kiya jo taquila shot ka tray lekar ghum raha tha
radha ne wo tray table ke beech main rakha aur ek shot gatak liya
"hmm..chalu karu kiski raah dekh rahe ho" radha ne dusra glass uthate huye kaha
"no..its ok I don't want"ragini ne kaha
"kyu..you don't drink" radha
"nahi aisa nahi hai par aaj nahi"
"arre yaar natak mat karo lo" radha ne ek glass ragini ki taraf aage badhaya
"arre jano do use nahi chahiye to lao mujhe do" aur omkar ne wo glass le liya
thodi der main ashish aur rima bhi unke paas aa gaye tab tak radha ne 5-6 shots gatak liye the
"kya plan hai fir shadi ka" ragini ne pucha
"kuch khas nahi mera kehna hai ke simple karenge registered aur fir switzerland main honeymoon..meri taraf se om ko gift" radha
"wow! thats great!" ragini ne kaha
ab radha ko daru chadhne lagi thi
"ragini waise om ko pucha hai maine.nut just want to check with you also..main aur omkar shadi kar rahe hai..are you ok with it?"
ragini ne omkar ki taraf dekha.."nahi..hamare bech aisa kuch kabhi tha hi nahi..hai na omkar?..auyr waise bhi jab usne tumse shadike liye ha kar di hai to its clear he loves you not me"
yess..omkar loves me..I love him" radha ne kaha
un charo ki bate ghanta bhar chalti rahi,,is beech ragini ne kayi baar omkar ko apni taraf dekhte huye pakda dono ki najre milte hi omkar dusri taraf dekhne lagta fir thode samay baad ragini wapis uski najar pakad leti....
ab tak kafi log waha se nikal chuke the..avantika jab radha ko bye karne aayi tab radha theek se khade bhi nahi ho pa rahi thi..omkar ka hath pakad kar wo jaise taise khadi rahi
"thanks avi for coming" radha ne avantika ko kaha
"omkar I think you should drop her home..use jyada ho gayi hai..she will passout" avantika ne halke se omkar ko kaha aur sabko bye bol ke waha se chali gayi
"om..please washroom tak chalo mujhe ulti jaisa lag raha hai" gale par hath ghumate huye radha ne kaha..omkar ne uska hath pakad ke use khada kiya aur use washroom tak le gaya
"mujhe samajh nahi aata yaar omkar ne kya dekha isme..god bless them" ashish ne nirasha main sar hilate huye kaha
"anyways hum khana kha kar chale?" ragini ne sofe par se uthte huye kaha
uske kahe anusar ashish aur rima bhi khane ki taraf chal pade tabhi thodi der main waha omkar aaya
"guys main radha ko ghar chod kar aata hu" omkar
"kyu ? kya hua?" ashish
"arre use chakker aa rahe hai..main use abhi chhod kar aaya wait for me" omkar
"aur khana? tumne khaya kuch?" ragini
"a..nahi....but anyways..tumlog ho na?" omkar
"omkar..its already 11 tum 12 tak aaye to theek nahi to baad main milte hai kafi late ho jayega" rima ne kaha
"ok no worries bye theN" aisa bolke omkar waha se nikal gaya
"ye pagal hai kya radha? pite to hum bhi hai par itna?" rima ne kaha
"kismat se omkar ne maa babuji nahi the yaha.." ashish ne kaha
teeno ne thoda khaya aur bahar aaye
"kya kare? ruke om ke liye 11.45 ho gaye hai" ashish ne pucha
"I think lets go..mujhe nahi lagta wo jaldi aayega..tum kaise jaogi ragini" rima
"I will take cab" ragini ne kahaaur apne phone par app open kiya
"rima tum ruko ragini ke paas main parking se car lekar aata hu" ashish
"cab hai?" rima
"20 minutes..but its ok...main ander ruk jaungi" ragini ne kaha itne main samne se omkar ki car aakar ruki
"sorry sorry..mujhe der ho gayi" gadi se jaldi jaldi utarte huye omkar bola.."chalo ander aaram se baithte hai"
tabhi ashish bhi apni car lekar aaya
"hum nikal rahe hai actually" rima ne kaha
"kyu??ruko yaar thodi der?" omkar
"nahi yaar kaam ka bhi thoda backlog hai raat main jagna padega aur" rima ne kaha
"what about you?" omkar ne ragini se pucha
"maine cab book ki hai aa jayegi 5-10 minute main.." ragini
"chalo bye then" gadi main baithte huye rima boli ashish ne bhi gadi main se bye kiya aur wo dono waha se nikal gaye
baat kya kare ye dono ko bhi nahi sujh raha tha omkar aur ragini chup chap idhar udhar dekhte huye waha khade rahe
"cab aane tak ek ek drinks round" omkar ne pucha
"nahi yaar sar chakra raha hai un gano aur thande AC se" ragini ne kaha
"ok fir coffee lo theek lagega tumhe" omkar
"coffee?? yaha bar main" ragini ne haste huye kaha
"ha ye bhi sahi hai..starbucks chalte hai chalo" omkar ne kafi asha se pucha
"maine cab book ki hai baad main chalte hai kabhi" ragini
"arre yaar cab ki kya baat hai cancel it I will drop you agar jyada late hua to" omkar ne kaha
"nahi late ka issue nahi hai mom dad indore gaye hai"
"fir kya baat hai "
"theek hai chalo par ek shart par..hum starbucks car main nahi chal kar jayenge" ragini ne kaha
"kya arre 5 km hoga wo kamse kam pagal ho kya?" omkar
omkar ki baat par ragini se use do pal dekha
"theek hai chalo done" omkar ne apni gadi side main lagayi aur wo chalte huye starbucks ki taraf nikle.......
Update 65
Omkar aur ragini paidal hi nikal pade Starbucks ki taraf
"Raat ka rasta kitna alag dikhta hai na...dinbhar gardi gaadiya pollution log raat main sab kaisa ekdum shant nirjan"ragini ne kaha
"Ha sach hai"omkar
"Yaad hai peter mujhe aise hi raste main chhod kar chala gaya tha fir tum aaye the aur hum long drive par gaye the tab bhi aisa hi mast lag raha tha na " ragini ne kaha par fir use dhayan main aa gaya ki tab ka omkar aur ab ka omkar dono alag hai ab wo kisi aur ka ho chuka hai to usne topic change kar diya ...
"so end mil gaya book ka to ab agla part likhna suru karo mister mere jaise kai reader raah dekh rahe hai uski"
Omkar achanak hasne laga
"Kya hua aise achanak hasne kyu lage"ragini ne pucha
"You won't believe par radha ne bhi yahi kaha tha end mil gaya na book ka" omkar
"Ha to usme kya hai sahi baat hai"
"Ha sahi hai par mujhe ye perfect ending nahi lagta hai"omkar
"Kyu? perfect ending to hai...tumne jise chaha....jiske liye paglo jaise dar dar bhatke wo tumhe mil gayi hai isse jyada aur kya perfect ending chahiye"ragini
"Ha na dekho aisa nahi ke ke mira ko hero pasand nahi tha par fir bhi wo use akele ko chhod kar chali jati hai..kyu??Kyuki uski apni life se kuch aur asha hoti hai uske apne sapne hote hai...isiliye to wo ghar chhod kar aayi hoti hai jab wo pehli baar milte hai tab bhi wo confess karti hai ke wo hero ko pasand karti hai par unte hi samay ke liye use relationship main aage nahi jana hai...par achanak use koi chahiye uske sath aur wo adjustment karne ko bhi tayar hai par kyu aur is baat ki kya guarantee hai ke aage uska decision nahi badlega?? Kya guarantee hai ke wo wapis chali nahi jayegi?? Dono ke hisse ki adjustments agar hero ke hi hisse main aa gayi to?? " Omkar ek ke baad ek sawal kar raha tha
"Omkar..." Chalte chalte ragini ruk gayi
"ye sawaal tumhare book ke hero ke hai ya tumhare??"
"Shayad dono ke..." Omkar ne kaha
"Om life main koi perfect nahi hota ye to mante ho na..."
"Hmm..."
"Relationship main adjustments hoti hi hai... Aur honi bhi chahiye fir mudda hai ke wo ladka kare ya ladki....aur agar sirf ladki ke hisse main adjustment aaye to wo ladke ka ego hai aur ego kisi bhi relationship ke liye ghatak hai" ragini
"Agreed par fir ek banda adjustment karta raha aur dusra uska galat fayda leta raha to??"omkar
"Fir ye sab tum shadi ke pehle kyu nahi clear kar lete?? Ye bate clear ho gayi to jyada acha hoga aur ye tumhare sawal tum radha se kyu nahi puchte?" Ragini
"Mujhe...mujhe darr lagta hai.." omkar
"Kya???? Ragini fir chalte chalte ruki
"Mujhe darr lagta hai" omkar ne saaf saaf kaha
"Darr kaisa kis chiz ka" ragini
"Radha ka "
"Come on om usme darne jaisa kya hai ?"ragini ne pucha
"Matlab is baat se hamare beech jhagda hua aur wo mujhe chhod kar chali gayi to?"omkar
"Arre..." Ragini ko kya bole sujh hi nahi raha tha.."arre itni choti choti baat pe koi kisi ko chhod kar jata hai kya...sahjivan main ekdusre ki galat fehmi pehle hi door kar leni chahiye naki aise man main daba ke rakhni chahiye " ragini ne kaha
"Barobar hai aise koi kisi ko chhod ke nahi jata hai par radha ka koi bharosa nahi hai...wo na kaanch ke showpiece jaisi hai jo door se achi lagti hai hath main lene par tut jane ka darr hota hai" omkar ne kaha
"Tumhara kuch nahi ho sakta" ragini ne garden hilate huye kaha jisse uske baal idhar udhar jhulne lage aur unko sambhalte huye uska chandi ka bracelet in kale balo ke sath uth kar dikh raha tha....uske perfume ka sugandh omkar ko madhosh kar raha tha...
Starbucks ka darwaja khulte hi dono ko strong coffee ka sugandh aaya aur dono ne ekhi saas ke sath use ander liya aur order dekar jaha se rasta dikhe aise bade se kaanch ke samne jakar baith gaye
"Ragini ek baat puchu??" Kuch pal ki shanti ke baad omkar ne kaha
"Ha pucho na.."ragini
"Don't get me wrong ok.."
"Baap re aisa kya puchne wale ho.."
"Usdin.... tumhare ghar.... tumhare room main wo ek moment tha tumhe aisa laga tha ke hum dono..."
"Hmm...."omkar ki taraf bagair dekhe ragini ne kaha
"Fir kuch bola kyu nahi tumne..." Omkar
"Tumne kyu mujhe paas nahi liya" omkar ki aankhon main dekhte huye ragini boli
"Main....main confused tha....mujhe hi samajh nahi aa raha tha ke mujhe kaun chahiye tum? Ya radha?? Aur fir mujhe aisa laga ke usdin agar hum physical ho jate aur fir radha wapis aa jati aur hum sath hote to tumhare sath dhoke jaisa hota....so..."
Ragini ne apna coffee ka cup niche rakha aur jor jor se hasne lagi...
"Shut up ragini...isme hasne wali kaunsi baat thi " omkar ne chidhte huye kaha
"Dhoke jaisa kya hoga isme...."ragini aur jor se hasne lagi
"Ha to fir main tumhe baho main bhar leta fir...."
Fissss ragini apni hasi rokne ki koshish kar rahi thi par omkar ki baat sun kar fir se hasne lagi..
"Sach baat hai tumhari om...faltu me main tumpar police case kar deti....mujhe gale lagane ke liye dhara so and so ke tahat tumhe kadi se kadi saja ho jaye aisa karti....yaar impossible ho tum" ragini ke haste huye kaha...
haste haste uski aankhon main pani aa gaya to wo uth kar khadi ho gayi....
"Judge saab dhayan se dekhiye is darinde ko...samajh main dehshat failane wala ye masoom chehra ek darinda chupaye huye hai" ragini khud se bolne lagi
Omkar apni khurchi par se utha aur ragini jaha khadi thi waha gaya uska hath pakad kar use apni taraf ghumaya aur apne hoth uske hotho par tika diye...
Ragini ne omkar ko hatane ki koshish ki par uski majboot padak se khud ko chhuda nahi payi....kuch seconds baad omkar ne use door kiya
"Jab saja bhogni hi hai bagair aparadh ke bhugatne se acha hai aparadh karke bhugto " omkar ne kaha aur fir apni jagah jakar baith gaya
Ragini bhi wapis aakar baith gayi....coffee khatam hone tak dono main se koi kuch nahi bola
"Chale..."coffee khatam hone ke baad omkar bola
"Hmm...."
Omkar ne bill pay kiya aur wo dono car ke paas aaye dono main se koi kuch nahi bola car main bhi aur ghar tak pahuchne tak bhi koi kuch nahi bola
"Chalo then bye" car ka gate kholte huye ragini boli
"Ragini...."omkar ne kaha...
"mujhe tumse firse milna hai"
"Kyu???"
"There is something between two of us I don't know what is it...but I can feel it I want to know what it is I want to see it....milogi?" Omkar
"Omkar it's not right...tum aur radha...both are committed..tumne jagjahir kiya hai tumhe aise mere sath kisi ne ghumte dekha to wo theek nahi lagega" radha ne kaha
"Weekday par milte hai...yaha se 100 km dur hamare farmhouse ka kaam chalu hai babuji ke pasand ka location hai waha milte hai restaurant bar sab hai waha ok??"omkar
"Par omkar..?"
"Aisa socho main site seeing karne ja raha hu ashish radha rima koi nahi hai to as a friend chal lo it's just a day with me ok..?"
"Ok...?"thoda sochte huye ragini boli
"Cool fir main budhwaar ko subah saat baje tumhe pick karne aata hu"
"Nahi ghar ke paas mat aana shayad mom dad ko pasand na aaye main message kar dungi kaha aana hai "ragini ne kaha aur waha se nikal gayi
Omkar ne bhi gadi chalu ki aur nikal gaya....ragini se aise chip kar milna hai is khayal se hi uska dil joro se dhadak raha tha aur shayad ragini ka bhi.........
Update 66
Budhwaar ko subah jab omkar aur ragini nikle tab aasman main kale badal chhaye huye the
"Aaj shayad barish hogi" ragini ne aasman ki or dekh ke kaha
"Bilkul... Waise bhi farmhouse aisa pahado main bana hua hai to yaha barish na bhi huyi to waha jaroor hogi" omkar ne kaha
"Radha ghar par hai abhi?"ragini
"Pata nahi hogi shayad..."
"Matlab? Tumlog mile nahi party ke baad main..." Ragini ne ashcharya se pucha
"Nahi.... Wo busy hai kaam main...uske office main kuch deligates aane wale the" omkar
"Oh...ok"
car jaise hi thoda shahar ke bahar aayi ragini ne ac band karke car ki khidki khol di aur thandi hawa ja jhoka ander aaya
"Solid thandi hai na bahar" ragini ne kaha
"Ye lo gale main pehan lo" apne gale ka muffler nikal kar ragini ko dete huye omkar ne kaha
"Thanks" aur ragini ne wo muffler le liya
Ragini ne apne baal khule chhod diye to bahar se aane wali hawa se uske baal udne lage
"Nahi yaar please nahi.."omkar
"Kyu?? Kya hua.." ragini
"Apni in julfo ko is tarah se na lehra de e jalim , in ghani ghatao ko dekh kahi ye badal na sharma jaye.." omkar ne haste huye kaha
"Oh ho ekdum shayari wagaira " ragini
"Agar aap jaisi haseena sath ho to..."
"Oh hello tum flirt kar rahe ho mere sath" ragini ne omkar ko rokte huye kaha
"Nahi karunga tumhe pasand nahi hai to"
"Maien kab kaha mujhe pasand nahi hai "ragini
"Ok" aur dono hasne lage
Ragini ne fm suru kiya to lag ja gale gaana suru tha
'humko mili hai aaj ye, ghadiya naseeb se
Jee bhar ke dekh lijiye, humko kareeb se
Fir aap ke naseeb main ye baat ho na ho
Shayad fir is janam main mulakat ho na ho'
Ragini ne arthpurn najro se omkar ki taraf dekha.....
Thodi der main wo 'whistling wood' ka board lage ek gate main se ander ghuse
"Wow yaar kya badhiya area hai ye.." ragini ne aaju baju dekhte huye kaha
"Arre ye kuch nahi hamara farmhouse waha uper hai pahado par waha se dekhna kya badhiya location hai" omkar
"Hamara??"ragini
"Ha matlab hum vasudev kutumbakam wale hai na to sab hamara hai" omkar ne haste huye kaha
15 minto ke drive ke baad omkar apne farmhouse par pahucha..kafi sara kaam pura ho gaya tha waha...
"This is seriously good...."ragini ne kaha
"I know...main to soch raha hu iske banne ke baad yahi aakar rahu ekdum shant jagah hai book likhne ke liye ekdum perfect" omkar ne kaha
"Radha ko dikhaya ye..?" Ragini
"Nahi abhi nahi par mujhe nahi lagta use ye pasand aayega...use happening jagah achi lagti hai yaha ki shanti chubhegi use" omkar
"Jo hai wo hai ab tumhari relationship hi adjustment par hai to kya hi kare" ragini
"Ye taunt tha kya..."ragini ki taraf dekhte huye omkar ne kaha jispar ragini kuch nahi boli
Dono ne fir farmhouse dekha...omkar ne ragini ko drawing room dikhaya aur fir waha ka interior kaisa ho...kya kya naya waha kar sakte hai dono ne ispar baat ki...
"yaha na wo purane jamane ka recorder rakhna.."
"aur yaha main..wo lights lakar lagaunga jo tumhare room main dekhe the mujhe kafi pasand aaye the" omkar
"aur diwaro ka kiya karne wale ho..waha na aise books ma murals karke lagana acha lagega aur khas kar writer ka ghar dikhega" ragini
"aur kitchen main kya karna hai..?" omkar ne arthpurn najro se ragini ko dekha...ragini ko uske sawal ka matlab samajh main aa gaya
"wo maine kaise batau wo tum radha ko pucho wo uska department hai...maine bataya aur use pasand nahi aaya to" ragini ne mand mand uskurate huye jawab diya
ragini ne jamin par gira et ka tukda uthaya aur diwar par O heart R aisa likh diya
"R?" omkar
"R for Radha"
"ha..ha sahi hai fir aisa adha R kyu pura likho na" omkar ne thoda chidh kar kaha
"ok as you wish" aur ragini ne waha pura radha likh diya aur waha se bahar nikal gayi
"kuch jalne ki boo aa rahi hai...ye workers bhi na..sara kachra jala dete hai yaha" jaan bujh kar ragini ke paas se jate huye omkar ne kaha
"o mister writer chalo na bhukh lagi hai kahi chalte hai?" ragini
"yes chalo yahi paas main ek mast hotel hai"
dono waha se nikle to thoda aage jane ke baad
"oh shit!!" ragini
"kya hua?"
"samne dekho tumhare mom dad.."
omkar ne samne dekha to uske maa babuji aa rahe the unhone bhi un dono ko dekh liya aur ab to piche kahi chipne ki bhi jagah nahi thi
"arre babuji aap yaha??" omkar ne normal hote huye pucha
"haa tumhare mamaji ne bulaya tha to waha aaye the aaj mausam acha dikha to yaha chale aaye tumhari maa bhi ghum leti thoda to..par tum yaha kaise?"
"bas aise hi generally aa gaya tha dekhne kitna kaam hua hai to"omkar
"radha nahi aayi?" omkar ki maa ne pucha
"nahi...use kaam tha thoda warna hum dono hu aane wale the par fir radha ko kaam aa gaya aur main ise sath le aaya" omkar ne kaha
"tum ragini na??" omkar ki maa ne ragini ki taraf dekhte huye kaha
"ha maa I mean aunty' ragini
"arre chalega maa bola tab bhi chalega"
somehow omkar ki maa ragini ko dekh kar khush lag rahi thi
"chalo hum restaurent main ja rahe hai aaplog aa rahe ho?" omkar ne pucha
"ha chalo" omkar ne pitaji ne kaha aur wo chalo restaurent main aaye
charo ki badhiya bate chal rahi thi
"omkar chalo jara bahar se aate hai" omkar ke dad ne kaha aur dono bahar aaye
"kya hua?" omkar
"arre kuch nahi drinks karne ka mood tha..tumhari maa ko pasand nahi hai na subah subah isiliye bahar le lenge chup chap"
dono ne small pegs liye
"maa aaj solid mood main hai na...ragini se achi banti hai unki" omkar ne kaha
"omkar stop it....mujhe pata hai tum kya kehna chah rahe ho...dekho mane tumhe kafi kuchy nahi kaha hai kyuki main janta hu ki tum kuch galat nahi karoge par hum waise log nahi hai..tumhari aur radha ki shadi pakki ho gayi hai..tum dono ne soch ne samajh ke ye faisla liya hai...ab use takleef dekar ye shadi mod kar tumhara ragini se shadi karna mujhe pasand nahi aayega.."
"par babuji jo galti ho gayi hai wo badhe usse pehle use sudharne main kya burayi hai?" omkar
"galti?? tumhe abhi se wo galti lagti hai? omkar pehle rima fir radha aur ab tumhe ragini pasand hai? kabhi khud ke decisions par kayam raho..kya guarentee hai ke bhavishya main tumhe koi aur pasand nahi aayegi......grow up now...tum college main padhne wale ladke nahi ho aise aashiqur karne ke liye"
"ok main aapki baat samajh raha hu par babuji kabhi kabhi aisa hota hai na ke aap raste se cal rahe ho..chalte chalte aap kafi aage badh gaye ho fir pata chalta ke arre ye wo rasta nahi hai jaha aapko jana tha..aur ye tabhi pata chalta hai jab aap raste par aage badh jate ho shurwat main sani samajhta fir tab hum kya kare?? chalte rahe ye jaan kar bhi ki ham galatraste par hai?" omkar
omkar ne babuji kuch nahi bole unhone apna peg khatam kiya aur waha se chale gaye
wapis aate samay omkar bhi gadi main shant hi tha ragini ne puchne ki koshish bhi ki ke kya hua par omkar ne baat taal di........
Update 67
Ghar wapis aane ke do din baad ragini ne ashish ko phone lagaya
"bolo bolo ragini maden aaj aapne hame kaise phone laga liya? boliye kya kaam hai?" ashish
"kyu main tumhe bagair kaam ke phone nahi kar sakti kya?' ragini
"arre majak kar raha hu yaar par kuch na kuch kaam to hoga na bolo.."ashish
"hmm..arre I am feeling solid guilt conscious...omkar ne tumhe kuch bataya kya budhwar ke bare main?" ragini
"nahi kyu?kya hua hai?"
"fir us din party night ke bare main?" ragini
"nahi..kyu ab kya hua hai?" ashish
"arre kuch nahi hua hai..aise phone par nahi bata sakti...mile kya? main tum aur rima sirf omkar nahi.."
"hmm..theek hai kal kabhi bhi chalega..omkar nahi hai kahi jane wala hai"
"ha? kaha?"
"pata nahi kuch kaam hai keh raha tha main bhi aajkal jyada puchta nahi hu usse"
"theek hai kal sham main milte hai..german bakery chalega?" ragini
"done sham main 7.30 baje milte hai..main rima ko bhi bata dunga" ashish
"bye then"
"Bye"
Decide kiye mutabik ragini ashish aur rima german bakery main mile....jaldi jaldi jo chahiye tha wo order kar diya unhone waise bhi khane main kisi ko koi intrest nahi tha..ashish aur rima ko to jaldi se jab jannne ki jaldi thi
"hmm...jaldi batao ab kya hua hai" ashish
"omkar ne us din party ke baad tumhare jane ke baad kya hua is bare main tumhe kuch nahi bataya?" ragini
"nahi yaar usne kuch nahi bataya kya hua hai" ashish
"us din tumlog chale gaye uske baad main aur omkar starbucks.." uske baad ragini ne puri baad jaisa jaisa sab hua tha sab undono ko bata diya
"aaishappath omkar ne kiss kiya tumhe...wow so romantic" rima boli
"abe yaar ye omkar ekhi samay pe do navo main sawar hona chahta hai" ashish ne chidh kar kaha
"acha to fir budhwar ko kya hua" ashish
"hmm to hum budhwar ko firse mile.."
tab tak unki order serve ho gayi thi waiter waha se jane tak ragini ruki...
"ha aage budhwar ko tum mile kab ...kaha" ashish
"subah 7 baje" haste huye ragini ne kaha
"hmm to matlab aag dono taraf lagi hai" rima
"rima yaar tumhare ye dialogues band karo aur beech beech main mat bolo..ragini continue...subah 7 baje aage." ashish
"ha fir...." aur ragini ne pure din ki bate unhe batayi...
table par ka khana thanda ho gaya tha par kisi ne kuch khaya nahi tha...shayad kisi ka us taraf dhayan hi nahi tha
"ashish mujhe solid guilty feel ho raha hai..maine use aise nahi milna chahiye tha..aur main bhavnao ke ander bahut kuch keh gayi uske man main kuch aaya to nahi hoga na.." ragini
"bas bas isme guilty jaisa kuch nahi hai..usne tumhe bulaya tum gayi thats it " ashish
"nahi yaar shayad omkar ke dad ko wo pasand nahi aaya mera uske sath waha hona....unhone shayad bahar jakar omkar ko kuch kaha bhi jiske baad uska mood off tha...maine usse puchne ki koshish bhi ki par usne kuch nahi kaha...tum baat karoge usse" ragini
"main kya baat karunga mujhe to pata bhi nahi tha ke tumlog us din mile the" ashish
itne main ashish ka phone baja..
"radha ka phone hai.." ashcharyachakit aur hyper hote huye ashish bola
"hi radha bolo" ashish
"ashish mujhe tumse milna hai abhi ke abhi mil sakte ho?" radha
"a...kya hua..main bahar hu abhi to"
"kaha ho tum main jyada samay nahi lungi"
"main dinner ke liye aaya hu main rima aur ragini"
"oh great ragini bhi hai waha acha hua main aati hu kaha ho tum log"
"german bakery par kya hua hai?" ashish
"main 10 minute main pahuch rahi hu aa kar batati hu" aur radha ne phone rakh diya
"radha aa rahi hai" phone rakhne ke baad ashish ne kaha
"kyu?? kya hua?" rima aur ragini ne eksath kaha
"pata nahi par abhi milna hai keh rahi thi" ashish
"theek hai hum khana kha lete hai tab tak" aur teno khane ka maja lene lage
apne kahe mutabik radha 10 minute main waha pahuch gayi
"hi guys.." handbag tablepar rakhte huye radha boli
radha ko bhabhi bolte huye ashish ne ragini ki taraf dekha to usne use khunnas bhara look diya
"a yaar bhabhi ekdum 10 saal bada hone ki feeling aa gayi radha hi theek hai..aur khane main to kuch nahi I will habe a icetea" aur usne order de di
"acha hua tum sab yaha mil gaye" radha
"kya hua ekdum achanak se milne ke liye kaha tumne?" ashish
"batati hu..aaj main aur om dinbhar bahar the"
"ekdum sahi..kaha agye the?" ashish
"unka naya farmhouse ban raha hai whistling woods main waha"
"acha tabhi omkar subah se gayab tha..fir abhi kaha hai wo use bhi lana tha sath main" ashish
"nahi mujhe tum logo se baat karni thi omkar ke samne nahi ab bolu main" radha
"ok ok bolo"
"hmm to hum dono waha gaye the.to bato bato main usne sahaj kaha ki shadi ke baad hum yaha rahe to? ab maine 10 baar bataya hai mujhe ek jagah set nahi hona hai..usne main bhi waha shahar se itni door?" rdha
"fir?? tumne mana kiya na?"
"nahi maine aisa nahi kaha fir wo mujhse interion wagaire ke bare main puchne laga...ek to mujhe usme ka kuch samajhta nahi hai..aur mujhe puchoge to mujhe lagta hai meri life ghar ke bahar hai char diwaro ke ander nahi fir us nirjiv diwar par pani jaise paise kyu kharcha karne.maine use aisa kaha to mujhe kehta hai main bahut blunt hu.." radha ne aage kaha..."aur bhi aise kayi choti choti chizo pe hamare jhagde huye...matlab wo pyaar to karta hai mujhse..usne drawing room ki diwar par omkar loves radha aisa likha tha...how cute na.."
ragini ashish aur rima ki najre mili...teeno jante the ke wo omkar ne nahi ragini ke likha tha
"so cute" rima ne jaanbujh kar kaha
" hai na...use main pasand hu aur main bhi use pasand karti hi...aisa lagta hai wo harpal mere sath rahe but seriously shadi ke liye yahi baat kafi hai kya?" radha
radha ki baat sun kar un teeno ki aankhen badi ho gayi
"shadi ke pehle hamare ander differenses hai...jaise jaise shadi ki date paas aa rahi hai waise mujhe suffocate hone laga hai...lagta hai jaise ye shadi mera sahi decision hai na?? om ko jaisi life chahiye main de paungi na?? tumlogo ko kya lagta hai hamara decision sahi hai na?" radha ne un teeno ki taraf dekha
kafi samay shanti main beeta
"mujhe lagta hai sahi decision hai.....tum dono ekdusre se pyaar karte ho..tum hamesha se omkar ke man main thi..rahogi..mujhe lagta hai relationship main sabse imp kya hai...pyaar..wo hoga to baki ki bate duyyam hai...agar tumlog thodi maturity dikhao to ye differenses bhi nahi rahenge...aur mujhe to tum dono hamesha happy chahiye" ragini ne kaha
ragini ki baat sun kar rima ne use table ke niche halki laat maar di
"thanks ragini acha laga sun kar..mujhe kuch samajh nahi aa raha hai shayad main jyada over react kar rahi hu...aaj ka din itna bura raha na hamara...I think he should understand..main nahi reh sakti itni door ekant main" radha
"don't worry sab theek hoga" ragini
"thanks yaar..aur ragini..mujhe thodi shopping mai nhelp karogi...you know mere sath mere riste ka koi nahi hai aur office walo se relation itne gehre bhi nahi hai so.." radha
"why not..jaroor" ragini
tabhi waha ekl waiter aaya
"sir ek scheme chalu hai..aapka selfi nikal kar aap hamare facebook page par upload karoge to 10% discount hai" waiter ne kaha
"arre waah!! aao sab ek selfi ho jaye" ashish ne apne phone se photo nikala
"ok then you guys carry on main nikalti hu and please send me that pic" radha ne apni icetea khatam ki aur waha se chali gayi....
Update 68
radha ke jate hi ashish aur rima ragini ki taraf mude
"tum pagal ho kya yaar? acha chance tha abhi..use batana tha na unka decision galat hai ye reh gaya aur tum to..." ashish ne chidh kar kaha
"ha na yaar itna bhi acha nahi rehna chahiye insan se" rima
"clam down guys I am not a bitch aur mujhe banna bhi nahi hai mujhe kisi ki shadi tutne ka karan nahi banna hai" ragini ne kaha
"arre magar..tumhe pasand hai na omkar..fir?? aur agar lagta hai ke inki shadi ho jaye to kyu gayi thi uske sath us din..saaf samajh aa raha hai omkar aj radha ko kyu waha lekar gaya tha..wo sidhe sidhe compare kar raha hai radha ko tumse.." rima
"par hum sirf mile the wo bhi usne kaha tha isiliye" ragini
"right..aur kab tak aise miloge?? radha se chip kar unki shadi tak? ya pehli anniversary tak? ya usne bacche hone tak?" ashish
"ashish abhi tak unki shadi nahi huyi hai...so milne main burayi nahi hai" ragini
"sahi hai par usne apna decision change kiya hai kya" usne kaha hai kya ki ragini I love you mera decision galat tha..main radha ko batata hu main usse nahi tumse shadi karunga aisa kaha kya usne?" ashish
ragini kuch nahi boli
"acha chalo omkar nahi bola to tumne kuch kyu nahi bola ulta us diwar par omkar lover radha aur likh aayi tum dhanya ho yaar" ashish
"ashish I love him aur shayad wo bhi par ye bhi sach hai ke wo radha ko bhi chahta hai..aur mujhe usse uska pyaar nahi chinna hai ..use decide karne do use kaun chaiye...shayad wo mujhese pyaar na karta ho par radha ko usse dur jarke mujhe sue dukh nahi dena hai "ragini
"ragini...omkar bewkoof ha.wokhud koi stand nahi lega..wo tumhe propose nahi karega..na tumhe puchega..radha use chhodegi nahi..omkar life ke sath uske flow main behta jata hai pravah ke viruddha jane ki himmat usme nahi hai..wo kuch change nahi karega..ek hafte main shadi ho jayegi..tum samajh rahi ho main kya keh raha hu?" ashish ne kaha
"ashish mujhe lagta hai ab hame hi kuch karna padega" rima
'nahi rima..kisi ko kuch karne ki jarurat nahi hai..tumhe pata hai jab main vipassna gayi thi..waha hame ek chiz sikhayi gayi...hame agar koi chiz chaiye to use universe se mango...ekdum dilse fir pura universe use tumse milane lagta hai..main roj subah sham universe se omkar ko mang rahi hu" ragini ne kaha
"as you wish...I hope jab tum jago jyada der na huyi ho..lets go ashish" rima
ragini ne bill pay kiya aur wo teeno waha se nikal gaye....
*****
Raat ke 12.30 baj rahe the omkar mast apne room main so raha tha tabhi uske ghar ka darwaja bajne laga omkar chauk ke utha..itni raat ko kaun aaya hai sochte huye usne darwaja khola to samne radha khadi thi
"Radha tum..? Itni raat main..? Aao ander aao.." omkar ne darwaja pura khol diya aur radha ladkhadate huye ander aayi...usne kafi pi huyi thi wo ander aakar sidha sofe par let gayi
"Om so rahe the kya..."radha
"Tum pehle ye lo pani piyo"omkar ne use pani dete huye kaha
"So rahe the kya...meri neend uda kar..?" Radha ne kaha
"Hmm so raha tha bolo kya hua"
"Ye dekho..."radha ne apna phone on kiya aur omkar ko dikhaya usme uska ashish rima aur ragini ka hotel main khicha hua photo tha..
"Aaj sham ko main mili thi inse..aise hi" radha ne kaha
"Arre waah badhiya par mujhe kyu chhod diya batana tha na main bhi aata yaar"omkar ne kaha
"Tum hamesha milte rehte ho na shayad isiliye nahi bataya hoga.."radha ne kaise to bhi haste huye kaha..
"Main ashish se milta rehta hu manager hai wo mera par rima aur ragini se milna nahi hota hai" omkar ne kaha
"Matlab tun ragini se mile hi nahi ho itne main..?" Radha
"nahi...hamari party main jo mulakat huyi thi wohi aakhri thi..kyu? Aise kyu puch rahi ho?"omkar
Radha ne wo photo ragini par zoom kiya aur kaha "gaur se dekho om..ragini ki dress dekho...uske gale main dekho kya hai..ye wahi muffler hai na jo maine tumhe party main gift kiya tha..?" Radha
Omkar ne kuch nahi kaha
"Kab se chal raha hai tum dono ka..?"
"Aisa kuch nahi hai radha ulta wo to mujhe hamesha samajhati rehti hai ke radha ko samjho shadi ke baad sab theek ho jayega.."omkar
"Yahi to main samajh nahi pa rahi hu..aaj bhi usne mujhse yahi kaha...maine tumhe pehle bhi kaha tha aaj bhi keh rahi hu..she loves you... Uske chehre se saaf pata chalta hai khaskar tab jab wo tumhare bare main baat karti hai.."radha
"Radha mujhe lagta hai tumhe jyada ho gayi hai...hum aaram se baat karte hai tum ander jakar room main so jao subah baat karte hai iis bare main.."omkar
"Nahi om kal nahi tumhe utarne ke liye aaj itni pini padi sab aaj bol lene do...abhi.."radha
Omkar ne fan on kiya aur radha ke samne khurchi par aakar baith gaya
"Om ek baat sach sach batana...I know you love me par ragini...tumhe ragini bhi pasand hai na....please ab jhooth mat bolna.." radha
"Hmm pasand hai.."
"Mujhse bhi jyada..?"
"Pata nahi...maine sach main nahi janta...jab tum sath hoti ho main sirf tumhara hota hu par uske samne aane ke baad pata nahi mujhe kya ho jata hai...main pagal ho jata hu" omkar ne garden niche karke kaha
Table par pani ka glass lene ke liye radha uthi par uska balance bigad gaya omkar use sambhalne ko utha par radha ne use rok diya fir sofe ke sahare se usne pani ka glass utha kar apne hotho ko lagaya
"Omkar tumhe lagta hai ke hum shadi karke galti kar rahe hai?? Mujhe lagta hai aisa...iska matlab ye nahi ke hum pyaar nahi karte hai..aur main gussa bhi nahi hu... par shadi...aur hum dono...hamari vichardhara alag hai..sach main hum shadi ke baad nibha payenge is rishte ko.."radha ne kaha
Omkar kuch nahi bola
"O lekhak mahoday...arre kuch to bolo" radha
"Manya hai ke hamari vichar...hamari soch alag hai par tumne jo abhi kaha hai wohi mere man main bhi hai.." omkar
"Tum mujhse ya main tumse pati patni bol ke kab tak nibha payenge.."radha ne kaha
Kuch pal shanti main beete
"Tod de shadi..?" Kuch aspasht awaz main radha ne kaha to omkar ne uski taraf ashchary se dekha
"Radha ye decision itni jaldi nahi lena hai...tum bhi hosh main nahi ho abhi..kal.."omkar
"Main pure hosh main hu omkar tum tumhara decision batao...dekho mujhe bura to bilkul nahi lagega...mujhe lagta hai radha naam ko hi shaap hai use pyaar to mila par wo uski kabhi ho na saki...so it's ok.."radha
Omkar ne kafi samay is bare main socha fir bola..
"radha hum shadi nahi karte hai...aage chal kar ekdusre ko dukh de isse pehle abhi hi..." Par bolte bolte omkar ka awaz kaap raha tha....
"Tum sach main paagal ho yaar....tumhe duniyadari film ka wo dialogue yaar hai..."radha
"Kaunsa...?"
"Wahi...hath main cadbury hote huye samne ka biscuit bhi tumse chhut nahi kaha rahi...bacchu ho bacchu...." Itna bol ke radha waha se uthkar khadi hi gayi....
"Kaha ja rahi ho radha" omkar ne use rokte huye pucha
"Ghar....ab yaha ruk kar koi matlab nahi hai"
"Main...main chalu chhodne"
"Nahi om niche poonam khadi hai main use sath lekar hi aayi thi meri chinta mat karo tum ragini ke paas jao aur use batao ki tum uske ho" radha ne darwaja kholte huye kaha"
"Wo soyi hogi abhi..."
"Na...neend udi huyi hogi uski....hamari shadi hai na kuch dino main...jaag rahi hogi wo...achi ladki hai aur tumhe deserve karti hai..par ek baat hai.."
"Kya..?"
"Pachas ki umra ke baad agar tum sath na huye to mujhe yaad karna...tab shayad hame shadi ki jarurat nahi padegi...omkar aur radha sath honge chalo chalti hu ab jyada der mat karo aur jaldi shadi karo book ke agle part ki raah dekh rahi hu main..."
"Radha.....jane ke pehle ek hug"omkar
"Sure."
Radha ne omkar ko kas ke gale lagaya...dono ki aankhon se aasu beh rahe the par same time sahi decision lene ki khushi bhi thi...
Update 69
okar kafi samaytak sun hokar baitha raha..kya hua hai abhi ispar uska vishwas hi nahi ho raha tha par jo bhi hua hai wo teeno ke bhale ka hai ye baat wo janta tha...use apekshit chaukoni ayushya ke bandhan main radha naam ka toofan kafi shant nahi rehta ye wo janta tha....ye toofan alag alag jagah par ghumta rahe tabhi uski khoobsurti ka anubhav le sakte the....
omkar ne muh par pani mara..kapde change kiye aur phone chalu kiya
whatsapp par ragini ka last seen 10 minute pehle ka tha..
radha ne jo kaha wo sach hi tha
omkar niche aake gadi main baitha aur khud se kaha."stay awake ragini..I am coming to take you away"
omkar ke man ki stithi bayan karna mushkil tha..ek taraf radha ke jane ka dukh wahi dusri taraf sari jindagi ragini ke sath bitane ki khushi..
omkar ko ye pal ajraamar karna tha..uske aise vichitra decision ki jitni takleef use huye thi utni hi ragini ko bhi ye wo janta tha
par kaise??
kya kiya jaye??
omkar ko kuch nahi sujh raha tha
wo aankhen band karke steering par sar tika ke baitha tha itne main khidki ke kaanch par tak tak huyi to omkar ne chaukke dekha to use ashcharya ka dhakka laga...
samne radha khadi thi
"radha...tum??" omkar ne car se bahar aate huye kaha
"ha..main aa gayi wapis"
"wapis?? matlab??" omkar ne confusion main kaha
"ghabrao main waise nahi bas poonam ki gadi main se utar ke wapis aayi hu....kuch sujh nahi raha hoga na....ragini ko kaise propose kare??" radha
radha ki baat par omkar has diya
"mujhe pata tha...don't worry..main help karti hu.."
"tum? tum kaise help karogi"
"dekho maine tourism industry main ek baat seekhi hai ke logo ko apne mul jagah jana jyada pasand hai..ya koi aisi jagah jo uski pasandida ho....jaha unki yade ho..tumhare mamle tumhai aur ragini ki pehli mulakat..mujhe batao tumhari aur ragini ki pehli mulakat kaha aur kaise huye?" radha
"ok batata hu.." aur omkar ne sara kissa radha ko bata diya
"yellow lily ke phool..manage ho jayenge...camp main ek flowerist hai raat bhar suru rehta hai wo...usne kya pehna tha?? maroon color ki sadi? mujhe lagta hai ye uska dress code hoga..marriot ka.."
"mujhe kya pata main thodi waha kaam karta hu..mujhe samajh nahi aa raha hai tumhare dimag main chal kya raha hai" omkar
"chup raho aur disturb mat karo"
radha apne hi khayalo main khoyi huyi thi aur omkar idhar udhar ghoom kara tha
"got it chalo marriot chalte hai" gadi main baithte huye radha ne kaha
"mujhe pata chal jata to..." par radha se chidh kar omkar ki taraf dekha to wo bagair kuch bole gadi main baith gaya
"theek hai nahi puchta hu par tum ye kyu kar rahi ho? itna acha nahi hota hai koi! abhi abhi hamara breakup hua hai aur tum mere liye ragini ke liye ye sab plan kar rahi ho" omkar
"usme kya hai? dekho jab main italy se wapis aayi..wapis kyu waha jo tum mujhe photos bhej rahe the uspar se mujhe samajh aaya ke tumhare aur ragini ke beech kuch hai...fir maine kya kiya? pagal jaisi ghus gayi tumhare beech aur tum bhi pagalo jaise use chhod kar mere piche aa gaye..sach batau? agar ragini na hoti na to main tumhe shadi ke liye kabhi puchti hi nahi par tum dono ko sath dekh kar bahut jealous feel hua laga aajtak jo apne piche tha wo kisi aur ke sath..."
radha kuch samay shant huyi fir lambi saas lekar boli.."hamara man hamara dil ek alag hi chemical se bana hai yaar...ye kab kya karega kuch nahi keh sakte...tumne jab mujhe gokarn main police se bachaya tha tab maine kaha tha I owe you a big thing shayad ye wahi hai"
"radha..shayad main tumhe samajh hi nahi paya..kabhi kabhi lagta hai tum selfish ho..dusro ke bare main na sochte huye sirf apne bare main sochne wali par aaj tumne mujhe jhutha sabit kar diya..itna tyag koi dusre ke liye nahi karta" omkar
"selfish?? wo to main hu par jab hum pyaar karte hai na to sirf khud ke bare main nahi sochna chahiye...anurag aur mere relationship main hum dono se apne apne bare main socha aur usse kya hasil hua? kuch nahi..aaj tumhara chehra dekho..raat ke 1 baje ragini se milne ke naam par kitne khush ho tum.... tumhari ye khushi maine apne pyaar main hasil ki hai..I am selfish...hum dono agar sath hote to kitne din rehti ye khushi..ha?"
omkar bagair kuch bole radha ko dekhe ja raha tha..kuch pal shanti main beetne ke baad usne bolne ke liye muh khola to radha pehle hi boli."please kuch mat bolna mujhe pata hai tum kya kahoge aur mujhe rone ki aur icha nahi hai so lets go.."