• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Pyaar Gam Ya Khushi complete

UPDATE-123

Pari ki baten bilkul sach thi har kuch planning ke sath sambhaw nahi hai kuch waqt par bhi chhorna chahiye .... Ab to bari Nischay ki hai ......

Sam ko karib 7pm baje Rishabh ka phone mere pas aaya ....

Main.... Kya haal janab, aur ye aaj kal comedy kanha se sikh li

Rishabh.... Yaar bahut serious ho liye ab thoda halki jindgi jine ki chah hai aur isi khushi me tu party dega

Main.... Kutte lifestyle teri change ho rahi hai aur party main doon

Rishabh.... Dekh guru party to tujhe deni hogi chahe tu hans ke de ya ro ke kyonki jo bol diya to karna parega hi

Main.... Thik hai bol kanha karni hai party

Rishabh.... Disco me

Main.... Tu pagal ho gaya hai, pahle ka to thik hai par main Pari ko kya bolunga. Dekh bhai sidhi si bat hai pari ke sath main waisi jagho par nahi ja sakta

Rishabh.... Kamina insan matlab tu disco bhare ki GF ke sath jana chahta hai

Main.... Nahi re isliye to bol eaha hoon ki Pari ko kya kahoonga. Dump idea hai koi aur plan hai to bata nahi to adde par mil

Rishabh... Thik hai chal adde par chalte hai wanhi decide karenge

Main... Thik hai main nikalta hoon tu bhi pahunch

Rishbh... Ek kam kar na mujhe pick karte hue chal

Main... Thik hai chal aa raha hoon

Call disconnect ki aur ready ho gaya adde par jane ke liye. Jane se pahle main Pari ke kamre me dekhta gay ki Pari kya kar rahi hai lekin Pari apne kamre me nahi thi...

Main niche aaya to Mrinal hall me Sonal ke sath baithi thi. Dono aapas me kuch baten kar rahi thi..

Main.... Kya kar rahi ho dono

Mrinal ... Aap se matlab

Main.... Kya hua mari choti ko apne bhai se itni narajgi

Mrinal.... Mujhe koi bat nahi karni aap se

Main... Sonal kya hua ise

Sonal.... Pagal hai ye bhaiya aap kanhi ja rahe the jao

Main.... Haan ja to raha tha par ab jara iski bhi sun lun. Kya hua chhhoti mujhe kuch batayegi

Mrinal.... Mujhe shopping karni hai

Main.... Abhi to kuch din pahle hi marketing ki hai ab tujhe kya kharidna reh gay.

Sonal.... Aap jao bhaiya ise kuch nahi lena main janti hoon

Main... Ek min guriya main tab se dekh raha hoon tum mujhe jane ke liye bol rahi hai... choti beta bat kya hai bata

Mrinal.... Sab ne jakar karidari kar li aur Sonal ko bhool gaye

Main.... Are ye to galti ho gayi chalo dono Pari aur di ko bhi sath le lo

Mrinal... Di aur bhabhi dono bahar gayi hai

Are ye Pari bina kuch bataye bahar chali gayi lagta hai Di kuch jayada hi padesan hogi. Chalo achha kiya.

Ghar se hum teeno marketing ke liye nikle main raste me Rishabh ko inform kar diya aaj ki plan ko kal shift karne.

Hum teeno pahle kapre ki shope me gaye dono ko wanha dress lene ke liye chhor diya aur main mall se bahar chala aa gaya kyonki mujhe pata tha ki inhe dress select karne me kitna time lagne wala hai.

Maine bhi mauka dekh kar mall ke bahar chala aaya aur ek pan ki dukan par ruk kar cigrate jala li. Abhi do kas hi mare honge ki Di aur Pari mere pas khari thi

Jaise hi meri najar dono par pari mere to hosh hi gum ho gaye jaldi se hanth piche ki aur cigerate fenk di...

Di... Betu ye kya kar raha tha

Main... Wo Di aap sab yanha kaise (ghabrayi hue awaz me main pooch diya)

Di... Pari main ja rahi hoon main is se abhi bat karne ke mood me nahi tum ise samjha dena

Pari... Ji didi aap jayen

Di itna bol mall ke ander chali gayi... aur main bas in dono ko aaya dekh bilkul hakka-bakka rah gaya.

Pari... Jaan ye kya kar rahe the aap

Main.... Tumhari tasveer bana raha tha. Dekhi nahi ki kya kar raha tha aur chalo yanha se kanhi alag baith kar bat karte hai ye jagah bat karne ke liye thik nahi

Pari... Aur aap ke cigrate pine ke liye sahi hai

Main... Abhi please chalogi kanhi aur baith kar jo ji me aaye suna dena

Pari.... Jab aap jante hai ki ye kam sab ke samne nahi kar sakte matlab galat kam hai. Kyon galat aadat pal rahe ho jaan.

Main.... Wah re meri Pari ! Yun to main kiss bhi tumhe sab ke samne nahi kar sakta to kya wo bhi galat hai?

Pari.... Bahut bate banane lage ho aap. Thik hai jo ji me aaye karo ...

Aur Pari itna Bol gusse me Jane lagi .... Maine Pari ka hanth tham liya aur use rokte hue ....

"Tum kaho to duniya chhor de phir ye cigrate kya chij hai"

Pari... Mujhe nahi bat karni. Ek to Jo bolo wo mante nahi ho aur mante bhi ho to ye behki behki baten karte ho.

Main.... Achha baba nahi karta ye sab baten. Ab to muskura do

Pari meri bat sunkar muskura di ..... "Baton me phasana to koi aap se sikhe"

Main.... Aur koi Ada dikha na tum se sikhe Pari ... Hay ! Inhi adaon par to hum fida ho gaye.

Pari... Ab nahi ye gandi jagah hai bat karne ke liye jo mera hanth pakar kar romance kar rahe hai.

Main.... Apni hone wali bibi ke sath romance kar raha hoon kisi dooshre ke sath nahi.

Pari.... Oh ho ho ho ! Jaan ek wish mangi thi shadi ki wo to bhool gaye aur baten Bari Bari.

Main... Chalo abhi chahte hai ....

Pari.... Lekin kanha ?

Main.... Mandir chalte hai Pari abhi shadi jo karni hai

Pari... Abhi humare chhoro aur Di ke bare me socho

Main.... Haan ! Aaj sab garbar ho gayi meri wajah se

Pari.... Jaan khud ko kyon dosi samajh rahe ho .... Abhi ek good news hai ...

Main.... Kya good news hai

Pari.... Pahle wada karo ki jaisa main kahoongi waisa karoge

Main.... Ji hujoor wada ... Ab batao bhi

Pari phir mujhe kuch door wanha se hatkar ekant me le aayi aur jaldi se mujhe ek kiss kar li. Mujhe kuch samajh me nahi aur Maine bhi use apni bahon me bhar liya aur use kiss kar diya ....

Pari... Hato chhoro bhi kaise kar raho ho ... Jara bhi sharam nahi hum bahar hai khule me

Main... Wah ! Abhi jab tumne kiya to khula nahi tha aur maine kiya to bahar hai khula hai ... Ye hai wo hai .. Chalaye raho apni dominency

Pari.... Jaan baut der se dekhi nahi to pyar aa gaya lekin wo kiss to chhanik tha mahol ko dhyan me rakhte hue

Main... Pari itni der se maine bhi tumhe nahi dekha aur mujhe kuch jayada hi pyar aa gaya

Pari... Hato besharam bat bataun ya nahi jaisa bolo kyonki hum idhar udhar ki baton me lage rahenge aur idahr unlogon ki marketing ho jayegi aur Mrinal bhi intzar kar rahi hogi "ki bhabhi ko phone kar ke blayi aur bhabhi aakar bhi nahi aayi"

Main.... Achha to tumhe Mrinal ne call kiya tha

Pari... Ji haan bilkul, nahi to hume kya maloom ki tum sab kanha ho.

Main... To tum unke pas nahi gayi ..... Sonal aur Mrinal kya sochingi

Pari.... Kuch nahi sochingi sab janti hai ki main tumhare sath kuch pyar bhari baten kar rahi hongi.

Main... To karo na main bhi to yahi chahta hoon

Pari .... Jaan ab please aap ye sab aband karenge to main di ke bare me kuch bataun....

Main.... Haan haan bilkul !

Pari.... Abhi nischay ka phone aaya tha didi ke pas jab hum market me the.... Didi mere samne kuch bat nahi karna chah rahi thi sayad isliye mujhe sabji lene alag bhej diya lekin main lagatar un par najar dale thi

Shuru me to todi mayus aur bat na karne ke mood me dikhi aur jab phone cut kar wapas aayi to khili-khili thi ... Mujhe pakka yakin hai ki dono kanhi milne wale hai kal.

Main.... Aur tumhara ye andaja galat hua to

Pari ... Galat ho hi nahi sakti kyonki aap chalo aap ko main chalkar abhi proof de doongi par us se pahle mere pas ek idea hai jis se ye dono bilkul phans jayenge aur pyar ke jal me bandh jayenge....

Phir Pari ne apne dimag ka master plan bataya ... Aur bhala aisha ho sakta hai ki Pari koi faltu plan banaye ... Pari ke aur sab plan ki tarah ye bhi master plan thi jise success hona hi hona hai. Haan bas dono kanhi milne ke liye bahar jay tab. Aur wo jayenge hi kyonki Pari ko kuch aisha laga hoga anuman tabhi itne confidence se bol rahi thi.

Ab to sari taiyariyan ho gayi ab bas di aur Nischay ke ek sath milne ka intzar tha.......
 
UPDATE-124

Ab to sari taiyariyan ho gayi ab bas di aur Nischay ke ek sath milne ka intzar tha.......

Pari... Jaan ab chalooo naaa .... Mrinal aur Sonal kya sohengi ?

Main.... Naiiii Naiiii ! Tumne hi to bola abhi ki dono janti hai hum pyar bhari baten kar rahe hai to karoooo na.

Pari .... Nai ... Bilkul nai chalo ab (aankh gurrate hue Pari ne jawaw diya)

Main.... Woohooo ! Chalo meri Jhansi ki rani .... Main to darr hi gaya

Pari meri baton par apni ek cute si smile di aur dono chal diye sab ke pas shopping me help karne.

Jaise hi hum paunche dukan me .... Sonal...

"Bhaiya kabhi-kabhi bhabhi ko humare sath bhi chhor diya karo jab dono sath hote ho bankiyon ko to bhool hi jate ho"

Mrinal ne Sonal ki bat pakrte hue....

"Bilkul Sonal ! Dekh na pahle to bhaiya humare sath baith kar suggest karte the ... Ye colour achhi hai ye degine achhi hai aur aaj kal to bhabhi ke pallu se hi bandhe rahte hai. Bhabhi kabhi-kabhi bhaiya ko humare liye bhi chhor do"

Di.... Chup karo tum dono jara to lihaj karo. Abhi bari bhaiya-bhabhi wali ban rahi hai dekhungi jab tera bhi BF hoga tab tum dono apne bhaiya aur bhabhi ko kitna samay dete ho.

Mrinal.... Mera koi BF nahi hoga sidha husband hoga .... Pata nahi koi mujhe purpose kare aur bhaiya ko kanhi pasand na aay to wo to gaya.... Aur main nahi use marte dekh sakti aur na bhaiya kisi ka khoon kar jail jate.

Main..... Very funny ! Waise bhi yad rakhna chahe BF ho ya sidha husband dono ke liye use pahle mere test se gujrna parega isliye tum dono befikr raho ..... Koi pasnad aay to inform kar dena aakhir tum logo ki hi khushi me meri khusi hai.

Sonal.... Tu mujhe Mrinal yanha kapre dilane layi hai ya us Nitin ke liye boundry bana rahi hai sab se.

Sonal ka ye bolna aur Mrinal ne use ghoorti najron se dekha... Main to bahut khush hua kyonki bahut sataya hai is Mrinal ne hum sab ko aaj to iski bari hai....

Mrinal.... Sonal ki bachi kuch bhi ulta sidha bol rahi hai .... Nahi di, bhaiya , bhabhi iski bat mat suno ye jhooth bol rahi hai.

Sonal... Achha main jhooth bol rahi hoon. Bhaiya poocho is se ki Nitin ne jo ise lifafe me band kar ke diya tha greetings ho ya koi letter ho is Mrinal ne mujhe chune tak nahi diya...

Di... Tu sach kah rahi kya Guriya... Chhoti tu to bada kahti firti thi ki didi ke sath dhokha hua isliye main koi BF nahi banungi jis se sablog bolenge usi se shadi kar loongi.

Mrinal.... Didiiii please ! Aishi koi bat nahi hai main ab bhi yahi kah rahi hoon aur kuch der pahle bhi kahi thi. Aur nitin hum dono ka dost hai usne koi lifafa nahi diya. Sonal bas kahani bana rahi hai.

Main.... Kuch der pahle to tu hi kahi thi ki tujhe BF isliye nahi banana kyonki main use marunga aur sath me ye bhi boli ki mai us bechare ko marte nahi dekh sakti... Matlab tu bhi kisi ko pasand karti hai aur yanha natak .... Chal waise wo larka mujhe pasand hai ... Meri ore se line clear.

Pari.... Chalo meri nando ko bhi koi pasand aa gaya mujhe to bahut khushi hue aaj to sabka muh mitha karna banta hai.

Di.... Bol to tere riste ki bat lekar uske ghar jayen... Waise bhi tujhe pati hi chahiye thi ... To direct shadi ki hi bat kar lete hai....

Pari.... Wow ! Do-Do shadi dekhne ko milegi ek to Gunjan di ki aur dooshri meri chhoti banno ki

Di.... Ohhhh ! Mujhe to guriya ki chinta ho rahi hai Chhoti ne uska sath itti jaldi chhor diya.

Kuch jayada hi chher diya hum sab ne Mrinal ko aur wo rone lagi... Rote hue ....

"Mazak ki bhi koi had hoti hai. Jao main kisi se bat nahi karoongi rula diya na mujhe"

Meri chhoti ro rahi thi .... Bat koi bhi ho par uaka rona mujh se dekha nahi gaya. Maine Mrinal ke sir ko apne baju me samet te hue...

"Tum bhi na di jab dekho tab chhoti ko khari-khoti suna deti ho. Aur tum Pari, lo ise rula kar ho gaya tumhara kaleja thanda ab mitha nahi mirchi khilaunga"

Mrinal... Subakte hue ... Aur bhaiya ye Sonal bhi jhooth boli thi

Main.... Jane de guriya ko wo to bas thoda sa sabko hasane ke liye boli thi na .... Itna to mazak uska haq hai.

Mrinal.... Thik kaha bhaiya aap ne.

Di.... Aur tu re tune bhi to kaha wo is larki ko sunai nahi di kya ?

Mrinal.... Mujh se alag hote hue... Bhaiya ne to support kiya mera na, "ki yadi wo mujhe pasand hai to bhaiya ko koi aitraz nahi".

Di.... Chal pari in teeno ke chakar me na par ... Dekha kaise teeno ne milkar hume hi side kar diya aur didi apna muh banate hue dooshri ore ghum gayi...

Maine Sonal ko ishara kiya ki di ko dekho.... Sonal bhi di ke bagal me baith gayi aur di ke chehre ko pakar kar dhire se humari ore karne lagi.... Lakin di ne apna chehra jhatak diya ... Aur apne gusse ka izhar karne lagi.

Sonal ab di ke samne jakar unke pas baith gayi aur apne kan pakrte hue....

"Sorry di ye sab meri wajah se hua na plz aap naraj mat ho hum sab aap ko bahut chahte hai"

Pata nahi humara Sonal ke sath kaisa juraw tha ki hum sab use kabhi bhi na to udas na mayus aur na hi is tarah se karte hue dekh sakte the.

Di ka gussa pal me chhu ho gaya ... Usne sonal ko khud me samet te hue uske mathe ko chum liya.... "Meri guriya tujh se naraj ho sakti hoon kya ? Wo to in dono ki harkat hi aishi thi, dekha nahi dono ne milkar mujhe aur Pari ko hi galat sabit kar diya.

Mrinal.... Thik hai na main sab dekh rahi hoon aaj kal mera rona bhi nahi dikh raha aap ko. Rote hue maine kuch bol hi diya aur bhai ne uska support kar diya to aap ko itta bura lag gaya.

Di.... Aa idhar... Aur chup kar bhaiya ki chamchi ... Aa mere pas aa... Phir di ne Mrinal ko bhi thoda pyar se puchkar diya.

Drama aisha chalu tha ki hum sab ko laga jaise hum ghar par hi hai .... Tabhi ek sales boy humara dhyan apni ore khinch te hue..

Sales boy.... Sir, fantastik family drama hai ... Seth ji ne bataya nahi ki humare yanha TV serial ki shooting hone wali hai. Yadi pahle pata hota to serwani pahan kar aata apni shadi wali ... Camra kanha hai..

Us sales boy ki baten sun hum sab hans pare.... Humari hansi mazak aur khincha tani par us sales boy ne viram laga diya aur finally sab concentrate kiye kapre kharidne par...

Pahle humne sonal liye jo usne humare aane se pahle kuch select ki thi aur kuch abhi ... Un me se do teen dress final ki ... Phir pata nahi kya hua ... Di ne ek dress Mrinal ke liye bhi final kar li... Aur fir Pari ke liye ek dress.

Sabko apni pasand ki ek dress dilane ke bad di ne sabko chalne ke liye kaha...

Main... Wah ! Jab sabne liya hai to aap bhi le lo

Di... Nahi betu rahne de mere pas hai

Phir Sonal aur Mrinal bhi bol pari "Nahi di aap ko bhi ek dress leni hogi nahi to hum ye dress nahi lengi"... Aur sabse aakhri me Pari ... "Le lo na Di dress waise bhi aap ko kal jaroorat hogi iski..

Pari ki bat sunkar Di bilkul chaun gayi .... "Mtalab, kya kahna chah rahi ho Pari"

Pari... Di kal jab aap Gunjan di ki shadi me jaogi to jaroorat paregi hi na

Sonal.... Haan-Haan di, jaroorat to hai hi aur yadi na bhi ho to bhi plz humari khatir le lo.

Di ne phir hum sab ki bat man li aur dress lene ke liye raji ho gayi. Par kya jhelaya di ne .... Lagbhak 1 ghanta laga. Aisha lag raha tha ki hume bol to diya lene par indirectly apni poori demand rakh di.

1) Nahi mujhe shadi me jana hai to sari mujhe lene ki ikchha hai

2) Ye colour bhi thik hai par halka asmani colour best rahegi

3) Nahi ye sab bhi collection thik hai par plain silk me black zari ki border ho to aur bhi achha.

4) Aur haan sari tabhi loongi jab kal 3pm baje tak iski blouse aur peticoat sil kar ready hogi

Ufff itti demand .... Main to ub kar bol diya....

"Bhagwan bachaye aap ke hone wale hubby ko aap se ek sari lene me itna time"

Par kya selection thi... Bilkul fantastic wanha se kharidari karne ke bad hum sab dukandar ke bataye pate par pahunche janha silai ki map deni thi ... Us lady tailor wali ke pas bhi di ke nakhre ... "Yadi kal tak nahi diya to mat lena map ... Chahe jitne paise lage mujhe kal hi chahiye"

Us counter ki lady ne jabtak viswas nahi dilaya tab tak di ne kapre aur map nahi di. Finally sab kam khatam hote hote rat ke 9.30pm ho gaye.

Hum sab ghar ko nikalne hi wale the ki Pari ke mobile par ring hue aur Pari bari hi chinta ke mood se bat karte najar aayi...

"Kya ... Nahi ... Ruko main pooch kar batati hoon"

Di... Kya hua Pari kis ka phone tha aur tum itni ghabrayi kyon ho.

Pari... Di wo Sainy ka phone tha bol rahi thi use kuch padesani hai.

Di... Kya padesani ho gayi ?

Pari... Di samjha karo na kuch aishi bat hai ladies wali ... Mujhe bula rahi thi maine bola rat bahut ho gayi hai pooch kar batati hoon

Di... Nahi ... Wo shru se akeli rahi hai ... Wo padesan hai to tum jao main mom se bol dungi...

Mujhe bhi thodi chinta ho gayi Sainy ko lekar "Ki aakhir aisha kya ho gaya jo itti rat ko phone ki" khair di, Sonal aur Mrinal car se ghar nikal gaye idhar scooty se main aur Pari Sainy ke ghar ki ore rawana ho gaye......
 
UPDATE-125

Mujhe bhi thodi chinta ho gayi Sainy ko lekar "Ki aakhir aisha kya ho gaya jo itti rat ko phone ki" khair di, Sonal aur Mrinal car se ghar nikal gaye idhar scooty se main aur Pari Sainy ke ghar ki ore rawana ho gaye......

Scooty se hum kuch hi door aage badhe honge ki Pari apna phone se call karne lagi ....

Hello ......... Haan sab thik hai ......... Suno Sainy yadi gahr se phone aaye to bata dena ki meri tabiyat kharab hai....... Ullu meri matlab tumhari ........ Yani sainy ki tabiyat kharab hai ...... Ahhh ! Tumhe to sid wala bukhar chadha hai duffer dhayan se suno ..... Yadi mere ghar se phone aay to tum bol dena ki mujhe kuch padesani ho rahi thi isliye maine Pari ko bulaya ..... Jada dimag mat lagana ..... Main raste me hi hoon aur tumhare pas hi aa rahi hoon. Aur haan aishe bat karna jaise tumhe wakai paresani ho ..... Kamini ! Wo sab shadi ke bad ... Main aakar samjhati hoon ....

"Huhshhh ! Paka diya jaan is Sainy ne ise to lagta hai sid ke alawa koi dikhta hi nahi"

Main.... O madam ! Na ye koi suspence story chal rahi hai. Maujhe yanha chinta ho rahi thi Sainy ki aur tum ho ki hum sabse jhoot bol bhi rahi ho aur jhooth bulwa bhi rahi ho .....

Pari..... Bas aap dekhte jao kal ki planning jo karni thi isliye ye sab karna para.

Main.... Thik hai par tum samjha kya rahi thi.

Pari.... Mujhe laga Sainy ki tabiyat kharab hai ye sunkar kanhi di ne ya mummy ji ne phone kar diya to ? Isliye phone kar bata rahi thi ki "yadi kisi ka phone aay to bol dena meri tabiyat kharab hai isliye Pari ko bulayi"

Main.... Aur plan kya hai tumhara

Pari... Aap ko kachha chabane ka

Main.... Matlab

Main idhar matlab pooch raha tha aur Pari bilkul apne action se mujhe matlab samjhane ko taiyar thi.

Pari pahle to bilkul mujh se chipak gayi phir usne apne muh ko mere kano tak layi aur apne danto se use bare pyar se, ek mithi ahsas me kat li.

Pari ke aisha karte hi mera tan-badan me jaise sansani daur gayi ho... Main bilkul sihar gaya.....

Main..... Uffff ! Pari ashe na karo mujhe kuch ho raha hai. Main phir scooty chala na paunga

Pari..... (Bilkul sanson si dhimi awaz me boli) Jaan mujhe lagta hai ab aap ubb gaye ho dhire-dhire aap ka romance kam hota chala ja raha hai

Main scooty ko kinare kahri karte hue Pari ki ore mur gaya....

"Batao kaisa romance pasand hai tumhe" aur apne hanthon se Pari ke dono gal tham liye

Pari khil-khilati hansi nikalte hue...

"Mere sona .... Main to mazak kar rahi thi aap jaisa duniya me koi nahi"

Main.... (Abhi bhi uske galon ko apne hanthon me thame hue) Ab baton ka koi fayda nahi Pari scooty ruki hai to bina riswat ke aage nahi badhegi.

Pari.... Jaan piche hat bhi kaun raha hai main aur meri har sansen to tumhari hi hai. Samet lo khud me mujhko jaan.

Main.... (Pari ke mathe ko pyar se chumte hue) Sambhalo Pari khud ko sayad abhi ye waqt humara nahi hai. Kitne arman hai par abhi sayad sahi waqt nahi.

Pari.... (Ek halki si muskan apne chehre par lati hue) Ab chale jaan nahi to ghar phone aa gaya to jhooth bolne ka koi matlab na rahega.

Maine Pari ki baton me hami bharte hue scooty ko ek bar phir Risahbh ke ghar ki ore badha di. Hum dono hi bilkul shant Rishabh ke ghar ki ore chal diye par dil me dono ke hi armano ka toofan umra tha jo hamare shant man me hulchal paida kar rahi thi.

Bhinge ahsason ki barishon ko mehsus karte hum pahunche Sainy ke ghar janha darwaje par tak-taki lagaye dono bhai-bahan khare humara intzar kar rahe the.

Humare pahunch te hi Rishabh...

"Bhai aishi kya emaergency thi ki tum dono ko itni rat me yanha aana para"

Sainy..... O duffer ye tumhare is chhuchander dost ka plan nahi ye meri dost Pari koi plan hai aur ye tum dono naylakon se nahi hone wali thi isliye Pari ne mujhe yad kiya .... "U know I am the best"

Main.... Chup kar chuhiya .... Ek bat ko to panch bar me samjhti hai aur khud ko best bol rahi hai.

Pari... Ab sari baten yanhi kar loge ya hum ander chalkar jis kam ke liye aaye hai uski baten kare.

Hum charon phir ander chalakr hall me apni mehfil jamayi...

Pari.... Suno tum dono ek kahani Alisha Di aur Sohini ke bhaiya Nischay ke bare me .... Phir Pari ne dono ko sari baten brief kar ke bata di.... Aur kal un dono ko kya karna hai wo samjhane lagi.

Sari baten khatam hote hote rat ke karib 11pm ho chale the... Aunty ne hume khane ke liye bahut jid karne lagi par main "phir kabhi" ka wada kar wanha se nikal aaya.

Aate waqt Pari jitni sahaj aur gambhir thi laute samay utni hi chanchal aur shararti ho gayi.

Kabhi mere kan me apne duptta dal deti to kabhi apne danto se mere gardan pa love bite deti... Kabhi piche se thoda uth kar mere galon ko chum leti to kabhi piche se mujhe kas ke binch leti.... Aur jab main apna banwti gusaa dikha kar scooty rok deta to bilkul masoom bache ki tarah muh bana leti. Aishe hi khatti-mitthi sharaton ke bich hum ghar pahunche.

Ghar par aaj pahli bar aisha hua tha ki mom ya Di me se hall me koi na tha balki Mrinal aaj humare liye jagi thi...

Main..... Chhoti tu kya kar rahi hai .... Mom ya Di ko rukne diya hota ... Subah tumhe school bhi jana hai

Mrinal apna chhota muh banakar nak se bolti hue......

"Main aap ka utni der se bhookhi intzar kar rahi hoon aur aap hai ki mujhe se aisha kah rahe hai. Bhabhi bhaiya ko khana garam kar ke de dena main ja rahi hoon sone"

Pari.... Chhoti beta bhukhe pet nahi sote. Bhaiya se naraj hai na apni bhabhi se to nahi.

Mrinal.... Thik hai bhabhi aap kahti hai to main ruk jati hoon warna meri koi kadar hi nahi kisi ko.

Mrinal ki nautanki sun main muskura diya aur muskurate hue....

"Bhai koi khay ya nahi khay mujhe to bhookh lagi hai ... Pari khana laga do mera"

Mrinal.... Dekha na bhabhi aap ne bhaiy ko. Inhe koi fark nahi parta ki main khana khaun ki nahi to main aap ke liye ruki hoon par khaungi nahi.

Pari.... Haan bat to tumhari sahi hai Mrinal. Ek kam karte hai hume bhi koi fark nahi parta koi khaye ki nahi khaye... Jise bhookh lagi hai wo apna khana kitchen se le aay.

Maine Pari ki baton ko ansuna kar daining table ko dhol ki tarah apne hanthon ka thap dete hue dhire-dhire bajane laga.

Kuch der bad Pari kitchen se aayi aur do thal sajate hue ek apne pas rakh li aur ek Mrinal ke aage rakhte hue....

"Chhoti khana shuroo karo" Itna bol pari ne apni thali se ek niwala utha li. Isdhar Mrinal ne ab tak khane ko hanth bhi na lagaya tha.

Pari.... Kya hua chhoti shooru karo

Mrinal.... Jane do bhabhi bhai koi fark nahi parta na ki main khaun ki nahi par mujhe to parta hai na mujhe ab ikchha nahi ho rahi khane ki.

Pari ne ek bar Mrinal ka chehra dekha aur phir mera... Maine ab Mrinal ke bagal me baith gaya aur bina kuch bole apne hathon se ek niwala bana uske muh ke aage kar diya...

Mrinal... Hato bhaiya ... Main ek din bhookhi rah jaungi to mar nahi jaungi... Aap dono khana kha lo.

Maine Mrinal ke sir par hanth ferte hue....

"Lagta hai meri chhoti apne bhaiya se naraj isliye aaj din se ukhri-ukhri hai"

Pari ne bhi Mrinal ke sir ko apne sine se lagate hue....

"Kya hua chhoti aaj itni udas kyon hai"

Hum dono ka yun bolna tha ki Mrinal bhabhuk ho uthi... Use rona aa gaya... Main apni chhoti ke aankhon ke aanshoo pochte hue...

"Kya hua chhoti kisi ne kuch kah diya kya tu aaj har bat par roye ja rahi hai"

Mrinal..... Roni awaz me... Bhaiya main khud ko adjust nahi kar pa rahi hoon aap logon ke sath isliye mujhe rona aa raha hai.

Pari... Pyar se uske sir par hanth ferte hue ... "Kya hua meri pyari nando ko aaj jo adjust nahi kar pa rahi hai"

Mrinal.... Bhabhi bhaiya din bhar aap ke sath rahte hai aur Di bhi aaj kal apne khayalo me khoyi rahti hai aur main akeli apne kamre me. Kitne din ho gaye na ti bhaiya mere kamre me mujhe kabhi dekhne aaye aur na hi Di ki main kya kar rahi hoon. Unse bat karna chahti hoon ki nahi. Main ab in dono ki ladli nahi rahi na.

Halanki galti meri bhi hai kyonki samay ke sath sab badlte hai aur is bat ko man ne to man li par dil rah-rah kar is bat ko nahi manta aur dil bhar aata hai bhabhi...

Mrinal Pari ke sine se apna sir tikaye bas aanshoo ki boonde gira rahi thi aur main bas mayus khud ko kosta raha ki itti bari galti kaise ho gayi. Kyon mujhe ye bat ab tak samajh me nahi aayi ki meri ladli ab khud ko akeli samjhne lagi hai apne hi ghar me.

Main mayus chup-chap wanha se uth kar apne kamre me chala aaya khud ko kisi dosi ki tarah mante hue...
 
UPDATE:-126

Main mayus chup-chap wanha se uth kar apne kamre me chala aaya khud ko kisi dosi ki tarah mante hue.

Main apne kamre me aakar chupchap let gaya. Main bisatar se tik kar baith gaya aur apni hi chintaon me khota chala gaya ....

Kuch der bad Mrina aur Pari bhi mere kamre me aa gayi. Mrinal mere pas aakar mere hanton ko khinchti hue..."Chalo khane mujhe bahut tej bhookh lagi hai"

Apne poore adhikar se wo khinch kar mujhe niche le gayi. Hum dono ke bich me baithi aur hum sab ke khane ko khud parosi....

Marinal ne apne hanthon se ek niwala mujhe aur ek Pari ko khilayi. Aur hum dono ne bhi apne haton se use khilaya. Jab humara khana samapt hua tab Mrinal ne pahle Pari ke gal chum li phir hum dono ko haq se kahti hue.....

"Ab pahle aap akele the bhaiya ab dukele hai isliye mera lar-pyar dugni honi chahiye nahi to main kal se hartal par hoon samjhe dono".

Mrinal ki baton par muskurate hue hum chal diye apne-apne kamre me. Subah as usual routaine ko follow karte hue subah uthe ground pahunche aur apni practic shru ki.

Aaj se to meri aur Rishabh ki mehanat jyada badh gayi thi kyonki dooshre apni parctics ke bich aaram bhi kar sakte the par hume pahle running aur phir shooting shikni thi.

Hum lagatar apni parctics me bane rahe idhar Pari jab apni practice se free hue to Sainy ke sath Sohini ko lekar kuch aapas me charcha kar rahi thi....

Aur chunki Sainy sab ke sath thi isliye bechara Sid rah-rah kar wanhi mandra raha tha par unke pas jane ki himmat na ho rahi thi.... Iddhar Sainy aur Pari ka facial expression se ye clear samajh me aa rahi thi ki dono Sid ki halat dekh muskura rahi thi.

Kuch der bad mujhe aur Rishabh ko bhi fursat mil gayi .... Aur phir wapas rawana ho gaye hum ghar ki ore. Subah pahle se hi afra tafri machi hue thi ghar me kyonki sab ko apne apne kamo ke liye taiyar hona tha lekin Di na jane kin khayalo me khoyi hue thi.

Khair main aur Pari taiyar ho gaye aur aaj hum dono ne plan kiya tha ki Mrinal aur Sonal ko hum school drop karte hue college jayenge. Isliye humne car nikali aur sab taiyar ho gaye ghar se nikalne ke liye.... Raste me pata nahi Pari ko kya hua usne Sonal aur Mrinal ko bhi sari planning bata di aur bol di ki kya karna hai .... Humne Un dono ko school chhorte hue college ke liye nikal gaye .....

Aaj college me sara din Pari sabko sab ka kam samjhane lagi thi aisha lag raha tha jaise Pari koi mission par nikli ho.

Sabse aham uske planning ka hissa the Sajan bhai. Humare 2nd period jab over hua to maine Kunal bhai ko phone lagaya aur..... "Aap kisi ko mat batana ki kis ka phone tha bas abhi aap Sajan bhai ko lekar bahar wale cafe me aa jao.

Kunal bhai bulkul mere kahe anusar Sajan bhai ko cafe me le aaye....

Kunal.... Rahul aishi kya emergency aa gayi jo hume bulaya.

Maine kunal bhai ko sari kahani batane ke bad Sajan bhai se......

"Dekho Sajan bhai aap ko bas humare liye itna karna hai ki yadi Komal ne evening me akele ya aap ke sath kanhi bahar jane ka plan ki to inform karna aur kisi ko pata na chale humari bich ki baten hue."

Sajan bhai ne humari baton hami bharte hue....

"Bhai pranam karta hoon tumhe jo tumhari bat nahi mani to. Mujhe kya apne sukhi sansar me aag lagwani hai"

Sajan bhai ki baton par sab chtki lene lage. College khatam kar main aur Pari Mrinal aur Sonal ko pick karte hue ghar ki ore nikal gaye.

Karib 3.30pm par hum ghar pahunche janha Di hall me baithi thi. Hum charon hi Di ke pas unhe gher kar baith gaye...

Di.... Kya bat hai aaj tum sab ek sath.. Jao sab pahle fresh hokar aa jao main sabke liye khana lagati hoon.

Sonal.... Di abhi bhookh nahi hai chalo na thoda gappe larate hai

Mrinal.... Haan Di ! Aisha lagta hai bahut din ho gaye aap ke sath itminan se bat karte hue

Pari... Bat bhi kar lena Di se tum dono par fresh hokar aaram se khane par bat karte hai na. Abhi to Di ne bhi khana nahi khayi hongi.

Di.... Sorry tum sab ko .... Bat karne ka mera bhi man tha par Komal kuch der me aayegi aur mujhe uake sath bahar jana hai... Please rat ka programe rakho ya nahi to phone kar deti hoon komal ko plan plan cancel karne.

Mrinal didi ke sarir se latkti hue...

"Nahi Di .... Aap kabhi-kabhi to to kanhi jati hai aap humari ore se befikar ho kar jao par rat ko koi bahana nahi samnjhi !

Di... Thik hai jo hukum aap ki. Ab bhala aap ko naraj kar kaun aap ke bhai se dushmani le.

Hum charon chale fresh hone chale gaye aur laut kar aaye tab tak di humara wanhi hall me hi intzar kar rahi thi. Di ne sabko khana khilaya aur hum sab baith gaye bat karne ke liye.

Karib 10min hue honge ki Pari sabha se uthti hue....

"Main ja rahi hoon assignment poori karne Rahul aap bhi chal rahe hai assignment me meri madad karne"

Main... Are jo hukum aap ka .... Kahiye to aap yanha baitho main humdono ka assignment poori kiye deta hoon

Pari....(Anpni ankhen dikati hue) Very funny ! Mujhe ab aap ki koi bhi help nahi chahiye main khud poori kar loongi ..

Itna bol pari uth kar chal di aur main bhi uske piche piche awaz lagate hue ... "Suno to janu" "Pari" ... Kahte hue oopar chal diya.

2min bad niche najar dala to pata chala Sonal aur Mrinal bhi wanha nahi thi par Di hall me hi baithi thi lekin apne casual dress jeans aur top me.

Main..... Pari lagta hai tumhe koi confusion hai Di to apne casual outfit me Komal ke sath jayegi .... Kanhi Di ka programe sach me to nahi Komal ke sath.

Pari.... Jaan aap thoda waqt bitne do sab pata apne aap chal jayegi ki kiska kiske sath programe hai.

Hum dono lagatar window se hall ka jayja le rahe the karib 4.30pm baje honge ki hall me Komal aayi. Undono ki aapas me kuch baten hue .... Phir Di ne mom ko pukara ... "Mom, Mom"

Mom.... Kya hua chilla kyon rahi hai

Di.... Main komal ke sath ja rahi hoon 8pm baj jayenge lautte-lautte.

Mom... Thik hai ja ... Par tu in kapro me ja rahi hai dress to change kar..

Di Komal ke sath bahar nikalti hue...

"Mom komal ke sath ja rahi hoon apne BF ke sath nahi jo sajne sawrne ki jaroorat hai mujhe.... Aur haan Sonal ko mat jane dena wapas aakar sab se baten karni hai"

Di itna bolte hue nikal gayi. Wo jaise si bahar gayi main bhi niche jane laga .... Lekin Pari ne mujhe rok diya...

"Poor student .... Maine kaha tha na follow only my instruction to phir Di ke piche kyon ja rahe ho"

Main.... Sorry mam bhool ho gayi ... Aap ka hukum sir aankhon par. Phir hum charo hi ikattha ho gaye karib 5pm Sohini ki call Pari ke pas aayi.... Aur us ek call ke bad Pari ne sabko taiyar hone ke instruction diye.

Hum sab ready ho gaye apne next action ke liye aur mom ko inform kar diye...

Main.... Mom hum ja rahe hai 8pm baje tak lautenge

Mom.... Chiilati hue.... Ye kya hai sab ke sab ek sath kanha ja rahe ho

Main.... Aap ko bhi aana hai to papa ko phone kar ke ghar bula lo aur taiyar hokar phone karna to main bata dunga kanha aana hai...

Mom..... Khayega chamat. Ye kaisi behki-behki baten kar raha hai

Abhi humari baten ho hi rahi thi ki Sajan bhai ka phone aaya...

Main.... Mom ek min ... Pari tum mom ko samjao jabtak main Sajan bhai se bat kar loon ... Aur call pick karte hue... "Haan sir"

Sajan bhai .... Rock gurden 15 min me

Main.... Aap bhi wanha hoge

Sajan bhai... Haan main bhi nikal raha hoon

Main... Ek kam karna Sajan bhai exact location msg karte rahna ...

Sajan bhai.... Thik hai mere bap sab kar doonga ab phone rakhta hoon ....

Sajan bhai se bat hone ke bad maine phone cut ki idhar abtak maa bhi poori khel ko samajh gayi thi. Aur wo bhi sayad papa ke sath is khel me samil hongi.

Hum charon bhi ghar se nikle rock garden ke liye .... Rock gurden chalte samay raste se sab ko Pari ne 6pm tak rock gurden ke pas pahuncne ke liye boli aur sath me ek meeting point bhi fix kar di.

Action time shroo ho chuka tha aur ab sare charecter ko phone lag chuka tha rock guarden aane ka. Yanha tak ki mere mom-dad aur Nischay ke mom-dad bhi aa rahe the....

Simple si planning thi Pari ki. Ki in dono ko pahle 1hr akele chhor do phir ek-ek kar ke unki location ke pas se gujrna par aisha lage na ki humne unhe dekha hai ... Bas hide and seek ka game khelna tha jiske anth me sare charecter inclding Di aur Nischay ko ek sath milna hai....

Aaj to comedy hogi poori rock garden me ... Poori planning set thi ap bas kuch samay aur gujrne ka intzar aur sare logon ke aane ki kami thi .......
 
UPDATE-127

Aaj to comedy hogi poori rock garden me ... Poori planning set thi ap bas kuch samay aur gujrne ka intzar aur sare logon ke aane ki kami thi .......

Pari... Jaan poori planning to ho gayi par hum dekhenge kaise unka expression

Main.... Don't worry Pari is venue ki chhat se poora clear view milta hai rock garden ka chalo chhat par chale maine sabke liye durbeen ki bhi intzam kiya hai enjoy full show.

Phir kya tha hum sab chal pare chhat par aur 5 min me Sajan bhai ka msg bhi aa gaya ki "Nischay aur Di east side artificial rock par bench par baithe hai phir kya tha .... Direction mil chuka tha humne dekhna shru kiya...

Mrinal.... Bhiya wo dekho pero ke pas hai dono lekin ulta baithe hai

Sonal... Pagal wanha koi lady baithi hai di kanha hai

Main... Mujhe to kanhi najar nahi aa rahi ... Ek lady baithi hai wo bhi pith humari ore kar ke to pata kaise chale

Pari... Jaan Di ne kapre change kar liye ... Ye wahi saree hai jo Di ne kal kharidi thi

Mrinal.... Yes bhabhi .... Tabhi main sochun ki shadi ko abhi time hai to didi ko kapre aaj delivary kyon chahiye... Sab pre-plan ki aur hume bataya bhi nahi... Achha kiya bhabhi inke sath

Sonal.... Par aishe me to maja bhi na aayega...

Main.... Maza to aishe hi aane wali hai bas dekhte jao ...

Karib 5.45pm par Sohini ka phone mere pas aaya...

Main... Hello Sohini pahunch gayi kya

Sohini... Haan Rahul batao kya karna hai

Main.... Tum zz ki buldinig ki chhat par chali aao hum sab yanhi hai aur apne papa ko bolo mere no. par phone karne.

Sohini ne thik hai bol kar phone kat di aur chand second ke bad VC sir ka phone aaya mere mobile par

VC sir.... Rahul beta batao kya karna hai ....

Main... Sir aap garden me jaeye main direction batata hoon ..

Phir maine sir ko instruction diya aur wo exact location par pahunch gaye. Ab tak sohini bhi humare pas aa gayi thi aur wo bhi poora najara dekh rahi thi...

Lekin VC sir chunki ab tak un dono ke piche the isliye Niscahy ki najar apne mom-dad par nahi gayi thi ... Maine phone cut ki aur wapas call lagaya...

Phone pick hote hi ...

Main.... Sir kuch na boliye bas suniye ... Apni awaz me mujhe aishe dantiye jaise aap kisi ko galat kam ke liye dante hai aap ke piche bench par dono baithe hai .... Aur haan please unki ore nahi dekhiyega...

Plan apne joro par thi. Sir ne us taraph se jor se bolna shuroo kar diya .... Ab jaise hi apne papa ki awaz suni Nischay ne wo ek bar bench se piche ghooma.

Upar chhat se hume poora najara clear dikh raha tha... Nischay ke to hosh jaise ure hue lag rahe the aur usne bench se sarak kar khud ko chhipa liya ... Chand sec hue honge ki di ka bhi sir najar aana band ho gaya...

Maine sir ko wanha se bat karte hue dooshri ore jane ko kaha aur sir ne bhi wahi kiya...

Nischay dhime se bench se uth kar dekha kisi ko na pakar dono khare ho gaye ... Di ko samne se dekha... Aaj bari hi pyari dikh rahi thi .... Khair ek bar phir khel shuru karte hue ... Maine sir ko bola..... Phir se usi jagah se hote hue niche aa jay aur haan dhyan poora jamin par ho...

Idhar dono khare the aur Nichay bar bar charo ore dekh raha tha. Abhi sayad wo soch raha ho ki hume niklna chahiye isliye teji se pahla kadam dono ka badha hi tha ki karib 10 fit ki doori se sir gujre unke pas se Nischay par bina koi dhyan diye hue.

Nischay to bahut furtila nikla wo bilkul jamin par sir niche kar ke let gaya...

Udhar wo jamin par leta aur idhar hum sab ki hansi chhut aayi ... Abtak dushre kirdar ki entry nahi hue thi isliye maine Sonal aur Mrinal ko garden jane ke instruction diye ... Aur sir ko bol diya ki aap gate par hi rahe taki dono bahar na aa sake.

Ab entry hue Sonal aur Mrinal ki. Mujhe in dono ko jayda samjhane ki jaroorat nahi pari. Abtak Nischay aur di bhi us jagha ko chhor kar per wale ilake me aa chuki thi ... Park sam me bulb ki dudhiya roshni se chakachaundh ho chali thi .... Sonal aur Mrinal ab dono usnke pas khare ho gaye aur bina idhar udhar dekhe aapas me bat karne lagi ....

Ab di ki bari thi ... Di ne jaise in dono ki awaz suni chaukte hue use dekhi aur jaldi se jakar per ke piche chhip gayi ... Nischay ko to kuch samajh me hi nahi aaya ... Wo di ke piche piche usi per ke pas pahuncha....

Koi pratikirya nahi bas chhip chhip kar bilkul kisi crimnal ke jaise di aur Nischay kabhi kabhi per se apna thoda sir bahar nikalte phir jhatke se ander .... 5 min jhelane ke bad maine dono ko wapas bula liya .... Kyonki agli entry mom-dad ki thi...

Dad thehre filmi aadmi unhe jayada batane ki jaroorat nahi pari lekin is bar humne gate khali chhor diya.... Aur mom dad ko gate ke hi pas kuch der rukne ko bola. Abtak sare log yani Rishabh, Sid aur sainy bhi aa gaye the.

Idhar Mrinal aur Sonal ke wanha se niklane ke bad dono per ke piche se bahar nikle. Dar ka pasina saf unke mathe par tha... Kuch der mahol ka jayja liya aur jaisa maine socha tha di aur Nischay ne ab gate ki ore rukh kar diye .....

Abhi koi 20 fit ki doori par honge gate se ki maine mom dad ko ander jane ko kaha aur usi raste par janha se dono aanrahe the....

Mom-dad aur wo dono bilkul same track par lekin Di itni dari hue thi ki pahle char kadam to Di ne mom dad ko dekhi hi nahi aur phir jab najar pari to di ne Nischay ka hanth pakar kisi aur raste mur gayi ... Maine mom dad ko thoda aage jakar wanhi baithne ka istruction diya ....

Ab dono kya kare gate occupied ho gaya .... Ab bari Sid aur Sainy ki ... Un dono ko maine us raste par bheja janha abhi di gayi thi .... Upar hum sab ki hansi ruk nahi rahi thi.

Bechare aaj jidhar ja rahe the koi na koi pahchan ka mil hi raha tha.... Aaj to merathon ho raha tha inka...

Humara khel bahut der se chal raha tha isliye ab sare charecter ka humla aur is khel se parda uthana tha isliye mujhe aur Pari ko chhor kar sab ko garden me alag alag jagah bhej diya.

Jaise chor police se bachte hai waise bechare mare-mare phir rahe the .... Janha kanhi baith te wanhi koi na koi pahunch jata... Aur gate par aane ke do raste ek oar Nischay ke aur ek par humare mom dad baithe the....

Live show dekh humari hansi ruk hi nahi rahi thi...

Abhi humara show on hi tha ki waiting call me Di ka no. flash hone laga...

Udhar jab dekha to Di lagatar phone cut kar rahi thi aur laga rahi thi .... Maine bhi apna dooshra call hold par dal kar Di ka phone pick-up kiya

Main.... Haan Di

Di.... Betu kya kar raha hai abhi

Main.... Chhat par hawa kha raha hoon Di. Aap batao itni padesan kyon ho

Di... Wo betu main ... Wo Nischay se milne aayi thi

Main.... Diiii ! Aap Nischay se milne humse jhooth bol kar

Di.... Betu main pahle se padesan hoon please abhi meri bat sun bad main sab batati hoon

(Ab kaun sa bad hoga di sari kahani to abhi hi khatam honi hai aur aap ki nayi kahani shuru)

Di .... Tu sun raha hai na betu

Main... Haan bolo na

Di... Ye bata aaj office me kaun hai

Main.... Pata nahi kyon kya hua so

Di... Nahi ! Main aur Nischay rock garden aaye the aur mom dad bhi yanhi hai

Main.... Kya ? To kya unhone aap ko dekh liya

Di.... Nahi abtak to nahi

Main.... To chupke se nikal aao na

Di.... Betu kaise niklun .... Ek raste par mom dad hai to dushre raste par Nischay ke mom dad

Main... Kya ? Ab wo log kanha se aa gaye

Di.... Pata nahi aaj jitna chhipana chah rahi hoon utna hi log mere aas pas mandra rahe hai

Main.... Di ek kam karo aap kuch der kanhi baith kyon nahi jati

Di.... Pagal ho jaungi main betu .... Baith bhi nahi sakti udhar jati hoon to Mrinal Sonal hai .... To kisi ore Sohini hai to kanhi par Sainy apne BF ke sath hai .... Mujhe to rona aa raha hai ki main kyon aayi .... Tujhe sath ke leti to jayada achha hota

Main.... Dekha apne bhai ko ignore karne ka natija

Di.... Kuch kar betu aisha lag raha hai police humare piche hai aur bagne ko koi jagah nahi bachi .... Mere bhai apni didi ke liye kuch to soch

Main.... Dekho ek rasta hai ... Aaj na kal to ye bat pata chalni hi chalni to hai aaj hi sab clear kar do ... Bhag kyon rahi ho.

Di.... Betu nautanki ab is bat se saf pata chalta hai ki ye sara khel tera hai .... Tune mujhe kya itna duffer samjha hai .... Kutte tu hai kanha ye bata

Main... Aap ne kya socha ki casual outfit me niklogi aur bahar jakar sari change kar kisi se milogi aur mujhe khabar bhi na hogi.

Di..... Betu ye tune achha nahi kiya. Tu jaldi se aayega mere pas mujh me himmat nahi itni ki main samna kar sakoon abhi kisi ka.

Main.... Mujhe pahle Nischay se bat karao

Di Nischay ko phone de di ..l.

Nischay.... (Dhime se) Hello

Main.... Kyon sir maja aaya

Nischay.... Rahul ji ab kitna badla loge yar please sab settle karo

Main.... Settle matlab .... Tum meri Di ko park ghumane late ho aur main sab settle karoon... Nischay ji aap ke settlement ke liye hi ye taiyariyan hai

Nischay.... (Girgiraye lahje me) Ye sab kar ke tumhe kya milega

Main.... Sir ji sarif hoon isliye nahi to meri jagah koi aur hota to abtak bat na kar raha hota

Idhar bat bhi kar raha tha aur udhar dekh bui raha tha... Di hanth ke isharo se pooch rahi thi kya bol raha hai aur Nischay mayusi se ishara kar raha tha ki maan nahi raha hai ....

Manooga kaise .... Mere samne sher ban raha tha "I like your sister" aur jab apne ghar walon ke samne bolna tha to bach kar nikal liye ..... Abhi to dekho aur kya kya main karta hoon
 
UPDATE-128

Manooga kaise .... Mere samne sher ban raha tha "I like your sister" aur jab apne ghar walon ke samne bolna tha to bach kar nikal liye ..... Abhi to dekho aur kya kya main karta hoon

Humari baten abhi chal hi rahi thi aur Nischay ko main jhela raha tha ki achanak se phone par tone change ho gaya...

"Betu kyon apni di ko padesan kar raha hai mera raja bhai please ab jo bhi bat tere dil me ho use jane de beta .... Kah to main tere pair pakar loon ... Na padesan kar, ya Nischay me tujhe kuch bura laga ho to bata de ... Main teri har bat par yakin karoongi ... Par ab aur padesan na kar" .... Di ne Nischay se phone lekar mujhe emotionally phansa diya ....

Main.... Di mujhe aap dono se koi aitraj nahi aap janha ho wanhi baith jao aaram se main aa raha hoon

Itna bol maine phone cut kar diya aur Pari ko lekar niche aa gaya. Hum garden me ghuse aur mom dad mere pas aa gaye...

Maine mom dad ko natak khatam hone ka sanket diya aur unke pas se hi Rishabh ko pohne kar ke sabko ikattha karne ko bola. Itna karne bad hum sidha pahunche Di ke pas janha di humara pahle se intzar kar rahi thi.... Di aur Nischay ki halat kisi ujre hue kacche makan ke jaisi thi jiski soorat-e-halat dekhte ban rahi thi.

Hum dono par najar parte hi di Pari ke pas chali gayi aur sharma kar uske gale lag gayi. Nischay ko dekh main hasne laga.

Nischay..... Sorry in sab ke liye Alisha ko zid kar ke maine hi bulaya tha

Main... Par Nischay sir meri marzi na hoti to wo kabhi na aati

Nischay meri is bat se chonk gaya aur bikul socked hote hue... "Kya ? Tumhe pata tha humari is mulakat ke bare me.

Main.... Ji bilkul ! Bhai hoon main aur meri jimmedari hai ki unhe dekhte rahna, surkasha dena aur sahi galat aadmi jo koi bhi ho uska pata lagate rahna

Nischay... Matlab tumhe mere bare me sab kuch pata hai

Main.... Nahi ! Sab kuch nahi pata par itna jaroor janta hoon ki aap insan achhe ho.

Meri bat sunkar Nischay ko thoda sukoon mila aur wo ek gahri sans lete hue thodi si muskan apne chehre par le aaya. Di bhi ab tak thoda normal ho chuki thi ...

Di.... Betu bahut tang kiya aaj tune har minute yanha sabko dekh humari dharkane tej hoti rahi

Main.... Isme meri koi galti nahi Di. Jis haq se kal din me college me inhone mujh se kaha ki wo tumhe pasand karte hai wanhi thodi himmat kar apne dad se bol dete to main padesan na karta.

Nischay.... Mujhe manph kar do tum dono actully ye mere sath aisha pahli bar hua hai isliye papa ko dekh ke ghabra gaya tha. Mujhe samajh me hi nahi aaya ki kya bolun aur kaise bolun.

Pari.... Koi bat nahi aisha sab ke sath hota hai .... Jaan ab chale banki baton ke liye bahut samay hai abhi to inki parent class banki hai

Nischay .... Jaan ! Ek bar phir shock hote hue

Di.... Hanste hue, ye dono commited hai Nishi and meet my cute bhabhi.

Nischay.... Kya ? Inki shadi bhi ho gayi

Di... Hanste hue, nahi abhi inki shadi nahi hue main sab samjha doongi tumhe itminan se.

Pari .... Ab chale nahi to sab yanhi aa jayenge

Main.... Nahi bas ek aakhri bat clear ho jay phir chalte hai .... Nischay sir aap ko didi ne apne bare me sab kuch bata di hai ya nahi

Meri is bat par di ne meri ore ek bar dekha par kuch boli nahi.

Nischay.... Yaar kamal ke ho dono bhai-bahan mera to dil kar raha hai pair pakar loon dono ke. Main kabhi itna responsible nahi raha Sohini ke liye. Haan ! Yadi tum Alisha ke past ke bare me kuch chrcha kar rahe ho to Alisha ne mujhe apni pahli mulakat me hi bata di thi. Kuch bhi chhipa nahi par tum bhi yahi bat ki charcha kar rahe ho majra kya hai ?

Main.... Koi bat yadi ho to pahle clear hona chahiye Nischay sir. Yadi atit se juri kisi bat ka pata bad me lage jo dard de uski charcha pale kar leni chahiye. Ab chale ya aur clarification doon.

Nischay.... Nahi koi calrification nahi. Ab chalte hai ... Hum sab phir chal diye wanha se....

Idhar sab ikattha ho kar bahar humara meeting point par intzar kar rahe the hum sab sidha wanhi pahunche.

VC Suubu Ghosh bilkul kadak awaz me.... "Nishi ye sab kya hai tum aaj kal ye pyar mohabbat kar rahe ho garden me aakar"

Nischay sayad apne pita ko jayada jawaw nahi deta tha isliye wo chupchap apni maa Ruben Ghosh ke pas chala gaya.

Ruben Gosh... Aji rahne do ji kyon mere bache ko dara rahe ho wo tumhe kuch bol nahi pata to darao ge. Khol doon ploe tumare jawani ke karname ki...

Ruben aunty ki baton par sabko hansi aa gayi aur sab kah-kahe laga kar hansne lage .... Aur humare Subbu sir apni mrs ki baten sun thode sharma gaye.

Ab mom ne thoda chherna chaha isliye wo Di ko ghoorti hue... "Alisha tu kya bol kar aayi thi ghar par" ....

Bas mom ka itna bolna tha ki is bar mom hi phans gayi ....

Sainy.... Aunty ji ab kya Alisha di beshrmon ki tarah aap ko bata ke milne aati

Rishabh.... Alisha di ko plz ab kuch nahi kahiye pahle hi unhe bahut tang kar chuke hai hum

Main.... Maa tumhe sab pata tha suru se phir bhi...

4/5 min tak to hum sab ne kisi ko kuch bolne hi nahi diye.... Aur bolne dete bhi kaise Alisha di ke bare me na to Rishabh na Sainy aur humare bhai-basno ki to koi bat hi nahi hai.... Koi bhi unke against nahi sun sakta/sakti thi....

Jab hum sab nahi mane to anth me Alisha di ne sabko shant karaya aur mom ke pas aakar uske paun ke pas baith gayi aur apna sir unke ghutno par rakh kar..."Sorry mom .. Manph kar do please"

Mom yun to thi hitler par Alisha di se unka juraw kaphi tha aur oopar se di ka dard maloom hone ke bad mom kuch jayada hi padesan rahne lagi thi Alisa di ke liye ..... Mom ne pyar se Di ke sir par hanth phera aur unhe oopar utha apne gale se laga li.

Idhar Ruben aunty Nischay ko pyar se dular kar rahi thi ... Udhar mom Di ko. Aur banki bache sab chit-chat me busy the. Tabhi wanha ek comedian tha Sid pata nahi use kya soojha aur achanak se bol para....

"Are aap sab bare-bujurg ab sab karykram ho gaya ho to kyon na aap bare yanha baith kar in dono ki ristey ki baten tay kar de aur hume thoda ghumne aur masti karne ke liye chhor de"

Sid ki bat sun kar hume ek pal viswas hi na hua ki Sid ye bol gaya par jo bhi soch kar bola ho par humara kam kar diya tha usne...

Mere dad.... Ab ye larka kaun hai

Main.... Mera dost hai papa ... Par bat sahi ki hai kya kahte ho aap sab

Subbu uncle.... Thik hai jao tum log waise jaoge kanha...

Rishabh.... Uncle disco jane ka soch rahe the

Mom.... Pagal hai kya Risabh ... Alisha tu hi samjha isko

Di.... Kuch nahi mom aaj hum bhai-bahan with GF/BF sab disco hi jayenge .... Aur do to bodyguard hai na... Mere aur Rishabh ki ore ishara karte hue .... Inke hote hue aap poore chandigarh me kisi bhi bat se darne ki jaroorat nahi...

Mom.... Phir bhi beta tu samajh kyon nahi rahi ... Aur Mrinal aur Sonal ki ore dekhne lagi

Di .... Jane do na mom... Ek din to msti ke mang rahi hoon...

Sab raji ho gaye aur hum chal diye disco.... Darr aur chinta ke bad ki khusi Di aur Nischay par saf jhalak rahi thi .... Dono bahut khush dikh rahe the.

Wanha se humari poori paltan ABZ disco ki ore badh chali .... Hum sab disko pahunche ..... Sab ke sab dance floor par hi the.

Aaj bahut din bad mujhe Ajju dikh gaya (adde ka friend) usne bhi mujhe dekha. Main Pari ko un sab ki bich chhor kar chala aaya...

Ajju.... Rahul bhai aaj kal bahut kam aa rahe ho adde par

Main... Are haan aaju bhai jab se Asis ka case hua hai thoda toot gaya hoon (jhooth)

Ajju.... Kya yaar roti aatma .... Kal darbar me hazri do ... Aur ye itte sare log poora college group hai kya ..... Rahul bhai ekadh larki se mera bhi intro karwa do na..

Main.... Pagal sab faimily member hai jid kar rahe the to yanha le aaya .... Pooch to liya kar kuch bolne se pahle

Ajju .... Sorry yaar .... Aur bata kuch coke thanda mangbaun..

Main.... Mujhe kuch nahi chaiye rahne de na

Ajju.... Achha tu ruk 2 min main abhi aaya..

Aur uske jane ke ek min bad music band ho gayi... Aur announcement shuru....

"Friends meet my friend Rahul" .... Aur jaise hi mera nam liya disco ki extra light mere oopar aa gayi.... "He just request ki aap sab 1/2hr ke liye unki ore se drink enjoy kare tabtak ye apni faimily members ke sath thoda enjoy karenge. So injoy your drink friends"....

Aajju ka ye announcement tha ki banki log drink counter ki ore badh gaye aur 15/20 min hume poora free time mila.

Disco se karib 8.30 baje hum sab nikal gaye aur wanha se sab apne apne destination ki ore badh gaye....
 
UPDATE:-129

Aajju ka ye announcement tha ki banki log drink counter ki ore badh gaye aur 15/20 min hume poora free time mila.

Disco se karib 8.30 baje hum sab nikal gaye kar apne apne destination ki ore badh gaye....

Hum sab bhai bahan pahunche aaj ki khatti mithi yaden liye. Hall me aate hi Di baith gayi aur ek lambi sans leti hue .... "Koi pani pila do aaj is gadhe ki wajah se bahut daurna para"

Pari ne Di ko pani lakar di aur hum sab unhe gher kar bas dekhne lage.

Di... Yun taktaki laga kar kya dekh rahe ho

Mrinal .... Mom main thode na apne BF ke sath ja rahi hoon jo mujhe sajne sawrne ki jaroorat hai

Mrinal ke is taunt se hum sab hansne lage. Di ko bhi apni kahi bat par hansi aa gay ...

"Dekho tum sab mujhe chherna band karo nahi to main uth kar chali jaungi"

Pari.... Achha Di Nischay ji ne aap ko I Love You kaise bola

Di.... Pari tum to mere side raho na .... Waise bhi tum dono ne milkar bahut padesan kiya aaj mauka aane do main bhi padesan karoongi.

Itni baten hue hi thi ki mom-dad bhi aa gaye. Dono bahut hi khush najar aa rahe the ...

Mom..... Betu teri aur Pari ki trip pakki. Aur Alisha ki ingaement bhi pakki Gunjan ke shadi ke 10 dina bad ka muhrat hai.

Di mom ke gale lag gayi aur mom ne pyar se unke sir se lekar pith tak apne hanth phiraye aur poore scene ka credit mujhe aur Pari ko de diya...

"Alisha beta jab se Pari aayi mere ghar me roj nayi khusi hi khusi aa rahi hai. Tere aur Niscahy ke milne me in dono ne bahut mehnat ki"

Di maa se alag hoti hue hum dono ko apne pas bula li aur apne gale lagate hue khusi ke do aanshoo chhalka diye.

Main.... Ab ye kya hai Di aap please roya mat karo.

Mrinal.... Haan sahi kaha rona to mere aur Sonal ke kismat me hai. Tum sab bare... Bare-Bare kam kar ke khud credit le lete ho aur na to hume kuch kar ne dete ho aur na hi khusi ke mauke par gale lagatae ho... Aa bahna hum dono hi ek dooshre ko gale laga khusi nahi na sahi apna dukh hi bant le.

Mrinal ki baten aur uska sence of humor ... Jo mahol didi ke rone se thoda bhari ho gaya wahi Mrinal ki baton se khushnuma. Di aur mom ne Mrinal aur Sonal ko bari-bari se gale laga liya.

Mom.... Chalo ab bas in dono larkiyon ka banki hai inko bhi koi achha larka mil jay to main fursat.

Di.... Mom chinta na karo Mrinal ne apne liye larka dekh rakha hai.

Mom..... Kya kaha .... Abhi itti si hai aur apne liye larka dekh liya ... Sonal ye main kya sun rahi hoon

Sonal mom de sarir se latkti hue.... Aunty ab to taiyari karo aap ke teeno bachhon ki shadi ke liye uttam jori mil gayi.

Mom ne sonal ka kan pakar apne aage late hue.... Tu kya paros ki bachhi hai .... Phir dobara kaha na to mar khayegi waise bhi aaj kal main hans ke bat kya karne lagi main dekh rahi hoon tum log bilkul mere sir par chadhi ja rahi ho.

Sonal.... Thoda udas hote hue ... Ji aunty ji

Mom ne jab dekha Soanl thodi udas ho gayi to taunt karte hue... "Achha chal udas na ho tere aur mirinal ki shadi usi ghar me karwayenge janha do bhai ho ... Haan bara aur chhota bhai kisi chun na hai wo tum dono decide kar lena".

Mom bhi aaj comedy ki mood se thi sayad ... Mom ki bat par humlog ne hansa bhi aur sehmati bhi jatayi. Mom phir wanha se chali gayi apna kitchen ka kam karne. Mom ki madad karne Pari uthi par mom ne Pari ko wanhi sab ke sath rahne ka bol kar chali gayi.

Di .... Betu tu pahle ye bata ki tu humari investigation kab se kar raha tha

Main.... Di usi din se jis din se hum sab ko Nischay ke bare me pata chala aur tumhe jan kar khushi hogi ki plannig ke tahat hi us din college me Nischay aaye the jiska pata unke pita ko tha.

Di .... Matlab sab kuch ok ho ne ke bad hi tumne Nischay ko mujh se us din ground par milne ka programe rakha.

Main... Are wah aap to samjhdar ho gayi

Di .... Aur teri samjhdari ne mujhe aaj kin musibaton se gujarna para hai tumhe pata hai

Mrinal.... Nahi bilkul nahi pata .... Hume instruction the ki aap ki ore na dekhe

Di .... Very funny .... Maloom hai jab Nischay ne apne dad ko phone par bat karte suna to wo bench ke niche sarak gaya aur mujhe bhi sarkna para .... Mere poore bal kharab ho gaye.. Aur tu ye location kanha se deta tha.... Ye dono jab pahunchi to main to san rah gayi upar se Mrinal isne mujhe dekh liya to ho gaya ..... Itta kya kam par gaya tha jo mom-dad ko bilkul mere samne kar diya.... Huhh ! Meri to upar ki sansen upar aur niche ki sasen niche hi rah gayi.... Kutte phir pure garden me sabko bhej diya jis raste jati koi na koi takra jata .... Betuuu tu plan kaise kar raha tha jo sabko bilkul prakat kar raha tha sahi location par...

Sonal.... Di bhaiya chat se teliscope ka jariye location le rahe the

Di .... Badmas matlab tujhe chhip ke apni Di ko dekhte sharam nahi aayi

Main.... Di aap bhi na .... Di ki baton se thoda main khud ko sharminda mehsus karne laga ... Sorry Di ... Ab nahi karoonga

Di ne mujhe hans kar apne gale laga li aur mere mathe ko chumte hue "mera pyara bhai main to mazak kar rahi thi par tu ab ye dobara mat karna. Ab to main jab bhi Nischay ke sath kanhi jaungi tera hi dar laga rahega".

Di ki bat par hum sab hansne lage. Kuch der hum sab ki baten chali phir sabha samapt ho gayi. Sab kha kar apne apne kamre me chale gaye sone. Agle 4/5 dino tak ghar me kewal Nischay ki hi charcha hoti rahi .... Sab apni dincharya me lin ho gaye ... Idhar college se humare ek din detention ke pahle ....

Principal ground se announce karte hue ....

"Attention Student aap sab ko jan kar ascharya hoga ki kuch din pahle is college ke do student ko shararat soojhi aur usne humare science lab me taknikii kami ki jhoothi sikayat vice-chancellor se kar di. Lihaja un do student Mr. Rahul Sinha aur Miss Paridhi Chauhan ko 15 dino ke liye detention di gayi hai".

"College committee ki ore se unhe resticate ka plan tha par chunki VC ne ek student ke taur par sochte hue inka carrer barbad na ho isliye manphi ki appeal humari committee se ki jise swikarte hue humne inhe 15 days detention ki saza di. Yadi vhavisya me yadi aap me se koi bhi jhootha rumour college ke against me karte pakre gaye to us par sakt se sakt karwayi hogi. Meeting dismiss."

Principal sir ke is announcement ke karte hi Pari mere gale lag gayi aur hum mand mand muskura rahe the. Idahr itti bari bat humare sath hue ye jankar humare dost humse class over ke bad afsos jata rahe the aur hum dono ander hi ander muskura rahe the.

Classes over hone ke bad hum ghar ki ore nikal gaye kyonki 15 dino ke liye hum aazad panchi the jispar ghar ya college ki koi pabandi nahi thi.

Hum dono bilkul apni masti me ghar ki ore ja rahe the Pari apna sir mere kandhe se tikaye baithi thi.

Main... Jaan kanhi humare sath ye sapno jaisa to nahi

Pari... Jaan ye agar sapna hai to main dua karoongi kabhi na toote. Main bahut bahut bahut khush hoon.

Main... Lekin Pari wanha to main din bhar Gunjan Di ke sath rahoonga hum to yanha se jayada door ho jayenge.

Pari.... Jaan aishi baten na karo plz. Waise bhi aap kanhi bhi raho .... Rahoge to mere hi

Main.... Aur yadi kanhi Urwasi ka jadoo chal gaya to

Pari.... Chhi gande tum ab tak nahi bhoole us chudail ko. Yadi wo mere raste me aayi to main use kacha chaba jaungi.

Main.... Itni bhi kya chahat Pari...

Mera itna bolna tha ki Pari sidhi hokar baith gayi ..."Jaan inthan agar chaht ki hue aur kanhi meri chahat jhoothi nikli to main apni jaan de doongi bas"

Maine car ko side me rokte hue ... Pari ka chehra apne hanthon me tham liya aur use najar bhar dekte hue...

"Tum ne aisha soch kar hi meri jaan nikal li Pari ab chalo bas mujhe tum khush najar aani chahiye aur yadi tumne mujhe chaha hai to kasam hai us chahat ki phir ye bat apni juban par na laogi"

Pari .... Jaan kya karoon aap ke bin jine ka soch kar hi main sihar jati hoon .... Bina aap ke bas pran honge sarir me par main nahi.

Main... Aur humari chahat par maut ki mohar lag gayi to

Pari ye bat sunte hi rone lagi aur mere kandhe par marte hue mere gale lag gayi....

"Main kah deti hoon mujhe aap yun na sataya karo main bardast nahi kar paungi"

Pari ki pith par pyar se main hanth ferte hue...

"Pagli khud ko sambhalo roti hue mujhe tum achhi nahi lagti chup ho jao"

Pari.... Chhoro mujhe pahle dil ko jalane wali bat kah dete ho phir shant hone ke liye kahte ho itna achha mood tha mera aur aap ho ki bas taiyar rahte ho mujhe rulane ke liye.

Main.... Achha manph karo mujhe nahi to main Urwasi ke pas chala jaunga.

Pari ek bar fir mujh se alag hoti hue.... Achha kar kena kosis mera nam bhi Paridhi Chauhan hai us Urwasi ko to bad me dekhoongi pahle meri team aap ki khabar legi.

Pari aur main aishe hi ab ek dooshre ko chidhate aur chher-chhar karte ghar ko pahunch gaye.

Ghar par humare jane ki packing pahle se ho chuki thi. 4.45 pm ki chunki flight pakarni thi isliye hum jaldi se ready ho gaye airport aane ke liye.

Di, Mrinal aur Sonal hum dono ko drop karne ke liye aa rahi thi. Raste bhar Sonal aur Mrinal Pari ko usnke sath jane ki jid karti rahi jise sun mera kaleja jal raha tha aur charon mujhe dekh hans rahi thi.

Finally hum airport pahunche aur delhi ke liye rawana ho gaye....
 
UPDATE-130

Finally hum airport pahunche aur delhi ke liye rawana ho gaye....

Hum ure apne armano ke pankh lagaye. Hum chale asmano se apna pyar barsaye. Aaj hum chale un ahsason se jise koi bandh na paye. Aaj hum chale ......

Pari mere kandhe par sir rakh kar let gayi aur ek alag hi khumari me jane khoyi thi. Bas poore raste hum ek dooshre ko mehsus karte hue aur khoye khoye se delhi pahunche.

Delhi airport par sasur ji ne humare liye pahle se car bhej di thi. Humne driver ko texi se wapas jane ke paise diye aur hum dono car me baith chal pare apni duniya ki ore.

Pari... Jaan chalo na please wo ground janha hum jure the.

Main... Jaisi tumhari marji ... Aur car usi ground ki ore le gaya janha durte-daurte main behosh ho gaya tha. Hum dono wanhi ek bench par baith gaye. Pari mere god me sir rakh kar let gayi aur main pyar se uske sir par hanth ferne laga.

Hum ahsason se jure the ab sabd humare bich koi mayne nahi rakta. Hum bas ek dooshre ka hona mehsus kar rahe the aur pyar ke in hasin lamho me kho chuke the.

Kayi ghante hum inhi ahsason me bita chuke the. Phir is hansi mahol ko torte hue ... "Pari ab hume chalna chahiye"

Pari apne khumari bhare sabdon se ... "Thodi der aur jaan please"

Maine fir doobara nahi bola. Pari apne dono hanthon ko sir ke niche lagaye apni aanken band kiye sukoon se meri god me leti thi. Kisi masoom ki tara uska chehra lag raha tha. Pari ko yun dekh pyar khud hi umar aata hai.

Main bas Pari ko dekhta raha aaj bada pyar aa raha tha uske masoom se chehre ko dekh. Jaise kisi masoom ko chum lete hai pyar aane ke bad thik waise hi maine pari ke gal ko chum liya.

Pari ne dhire se apni aankhen kholi mere hanton ko apne hanth me thamte hue .... "Kya dekh rahe ho jaan"

Main... Kuch nahi Pari tum leti raho

Pari utkar baith gayi aur apne kandhe ko mere sir par tikaye

"Jaan achha waqt kitni jaldi gujar jata hai"

Main... Tum aisha kyon soch rahi ho Pari

Pari... Chalo jaan sayad hum late ho gaye.

Pari ki baton me thodi mayusi aur aankhon me nirasha thi jaise ki use kisi gahre ahsas se jagaya gaya ho.

Hum dono Mohit pa ke ghar ke liye nikal gaye. Rat ke 11 baje hum pahunche bangle janha hall me mom Ranjana humara intzar kar rahi thi. Hum dono ne mummy ji ke sabse pahle paun chhuye ... Unhone hume uthakar apne gale se laga liya.

Apni beti ko bahut dino bad dekh unke aankhon me thode aanshoo the. Pari apni hanthon se aanshoo pochte hue "mom please chup ho jao aap yun roya na karo"

Ranjna mom ..... Apne aanshoo pochhti hue, main kanha ro rahi beta ye tumhe dekh chhlak aaye. Waise tum dono the kanha

Main Mummy ji ke piche latakte hue ...... Hum dono Gunjan di se pahle milne gaye the

Mummy ji mere kano ko pakar kar apne samne bithate hue...

"Jhooth bolte sharam nahi aayi Gunjan ka phone aaya tha 1/2 ghante pahle ki Rahul aur Pari pahunche ki nahi. Dono masti karte aaye ho kyon ?

Pari pyar se apne maa ki gale lag gayi ... Mommmm aap ko sharam nahi aati hume chherte hue jab sab jan rahi ho.

Mummy ji.... Chalo bhai ab hum to begane ho gaye tum dono miya-bibi ke bich jao hanth muh dho lo tabtak khana garam karti hoon.

Rat jyada ho gayi thi isliye humne khana kha kar apne-apne kamre me chale gaye. Nind na jane kyon aaj koso dur thi main bas bistar par para chhat ki ore ektak dekh raha tha.

Rat ke 1 baje honge ki pari ka ek mag aaya... Jaan nind nahi aa rahi tumhari bahon me toot jane ko ji kar raha hai.

Pari ka mag mere honthon par ek mithi si muskan le aayi ... Maine reply msg kiya .... Rat bahut ho gayi hai so jao subah bat karte hai

Pari reply .... Nahi mujhe abhi apni bahon me lo

Main... Kya bachhon jaisi jid kar hai ho Pari so jao subah bat karte hai

Itna msg kar main mobile par reply msg ka intzar karne laga reply msg to nahi aaya par darwaja kat-khatane ki aawaz jaroor aayi. Main jakar darwaja khola to samne Pari thi.

Main... Pari itti rat ko .... Main itna bol hi raha tha ki Pari ander chali aayi aur bistar par tik kar baith gayi.

Main Pari ke pas aakar khara ho gaya aur minnat bhare sabdon me... "Jaan please subah bat karte hai abhi jao kisi ne dekh liya to kya sochenge"

Pari mera hanth khinchti hue mujhe bistar par bitha di apne bahon ko mere gale me dal kan ke pas apne honth lati hue bilkul dhime se .. "Jaan yahi ki hum suhagraat mana rahe the"

Pari ki is bat se mera gala jaise sukh gaya ho. Kuch der pahle wo jitni masoom thi abhi thik uske viprit utni hi sararat ke niyat se dikh rahi thi...

Main.... Pari hum apne baro ka bharosa nahi tor sakte

Pari mujh se alag hoti hue apne facial expression par chirchira look deti hue .... "To kya unke liye apni Pari ka dil tor sakte ho" itna bol mere samne se apna muh fer li.

Maine pyar se pari ka chehra apni ore kiya uske mathe par ek kiss karte hue.... "Main apni Pari ka dil kaise tor sakta hoon par hum kuch bandhano me bandhe hai jinhe hume nibhana hai. Aur tum hi to kahti ho na ki kuch bhi ho main rahoonga to tumhara hi. Phir isme jid ki kya bat hai. Abhi chali jao kal hum bat karenge ispar".

Pari narajgi dikhate hue mujh par wanha se uth chali gayi aur main apne aap me sochte hue .... Ki aakhir Pari ko hua kya hai jo mujh se ek pal bhi alag nahi hona chahti...

Main isi bat par manthan karta raha pata hi nahi chala ki kab nind ne mujhe apni aagosh me le liya. Meri nind Lal ke jagane se khuli.

Subah ke 10.30 baj rahe the. Maine apni aakhen kholi Lal ko thoda dular pyar diya aur uske sath niche chala aaya. Niche ka najara kuch atpata tha kyonki do luggage pack hokar hall me rakhe the aur dekhne se maloom par raha tha ki koi kanhi ja raha hai.

Main niche aaya aur meri najar Mohit daddy ji par gayi. Main unke pas jakar unke bhi charan chhuye... Unhone bhi mujhe utakar apne gale se laga liya...

"Kiasa raha safar beta tum dono ka"

Main... Ji daddy ji 1.5 ghante ka safar kaisa hoga achha hi tha par ye packing ....

Daddy ji mummy ji ko aawaj lagate hue .... "Ranjna-Ranjana" .. Beta humara 10 dino ka europe tour hai le to hum tumhe bhi jana chahte the par Ranjna ne mana kar di boli "trip to poori jindangi bhar hogi par shadi jivan me bar-bar nahi hoti isliye Rahul aur Pari ko family time injoy karne do"

Main..... Haan sach kaha mummy ji ne

Tabhi mujhe kuch aisha laga ki mummy ji aur daddy ji thoda sankoch kar rahe hai bolne me .... "Kya bat hai aap dono kisi chinta me hai kya?"

Mummy ji.... Beta main bhi to tumhari maa hi hoon na ... "Hmmmm"

"To humne tumhare liye ek present liya hai please mana mat karna"

Main.... Mummy ji pahle dekhoon to sahi ki kya hai

Daddy ji.... Beta please dekho hum tumhe bahut pyar se de rahe hai rakh lena.

Main... Thik hai muumy ji daddy ji rakh loonga par bahut jayad menhgi hogi to yanhi chhor jaunga

Phir gate ke samne spports look ki ek imported car khari hue bahut hi khoobsoorat red colour ki choti si sandar car thi.

Main.... Daddy ji itni to car hai yanha kuch dino ke liye hum koi bhi istmal kar lete ise lene ki kya jaroorat thi.

Daddy ji.... Nahi beta maine jab ye dekhi to mera dil aa gaya ki yahi car main tumhe doonga. Ab please na mat karo humara aashirwad samajh kar rakh lo.

Pari bhi aa chuki thi aur hum logon ke pas hi khari thi. Main Pari ki ore ek bar dekha wo bhi jaise apni njron se haa me ishara kar rahi ho aur main dharam sankat me phansa tha. Aakhir me maine mummy ji aur daddy ji ka dil rakhte hue car ko lene ka faisla kar liya.

Daddy ji sab ko 1 ghante me airport rawana hona tha isliye main taiyar hone chala gaya. Laut kar sab sath me ikatthe nasta kiye aur wanha se hum airport ke liye nikle.

Mummy ji daddy ji aur Lal ek sath aur main aur Pari ek sath nayi wali car se unhe drop karne nikle. Unko airport drop karne ke bad main aur Pari Gunjan Di se milne airport se sidha massi ke ghar jane lage.

Pari thodi si ukhri hue thi mujh par rat ki bat ko lekar isliye gumsum si baithi thi aate samay bhi koi bat nahi kar rahi thi aur laut te samay bhi chupchap baithi thi.

Main... Baithe baithe kya karoge karna hai kucha kam suru karo antrakhsri le ke parbhu ka nam

Pari.... Very funny ! Aap jit gaye mujhe koi gana nahi aata.

Main.... Pari dekho tumhari nak

Pari.... Kya hua mere nak ko

Main.... Lal pakode ki tarah dikh raha hai

Pari... Meri baton se Paki hasti hue, jaan main aap se roothi hoon bas mujhe abhi nahi bat karni.

Main.... Achha hai itti dur chhutiyan manane aaye hai aur janeman pahle din hi roothi baithi hai

Pari.... Achha to aap harkaten aishi kyon karte ho jo main rootne par majboor ho jati hoon (pari bilkul nakhre bhare andaj me mujh se baten karti hue)

Main ... Wah ! Chalo chhoro mood thik karo baba ghar chalakr aaj belan chala dena mere sir par badla poora kar lena.

Pari aakhir kar apni hansi rok nahi payi aur hansti hue...

"Aap na bahut padesan karte ho. Pahle to satate ho phir oopar se comedy karte ho"

Main.... Achha ! Waise tum bhi kam nahi aaj kal main dekh raha hoon tum meri baton se jaldi rooth jati ho.

Pari.... Aur kya ! Nakhre to utane parenge babu.

Main.... Achha waise nakhre ke badla utha to tumhe hi loon par thodi bhari ho gayi ho isliye sochta hoon nakhre hi utha loon.

Pari... Kya kaha aap ne main moti hoon

Main... Maine to aisha nahi kaha haan insan ke kiye ishara kaphi hota hai.

Pari.... So mean jaan ! Aap ne mujhe moti kaha

Chalo pahunch gaye hum. Bat karte karte hum massi ke yanha pahunch gaye. Hum dono bari utsukta se Gunjan Di se milne chal pare.
 
UPDATE-131

Chalo pahunch gaye hum. Bat karte karte hum massi ke yanha pahunch gaye. Hum dono bari utsukta se Gunjan Di se milne chal pare.

Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong"

"Kaun hai kyon itni jor-jor se ghanti baja rahe ho khula hai darwaja" massi ne ander se chillate hue awaz lagayi.

Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong Ting-Tong"

"Kaun hai bolta bhi nahi, Niraj dekh to jara kaun pagal itni jaldi-jaldi ghanti baja raha hai aur kuch bol bhi nahi raha"

"Mom aap bhi na bina dekhe kuch bhi bole ja rahi ho dekhta hoon"

Darwaja khulte hi ....

"Betu tu mar khayega kya darwaj khula tha ander kyon nahi aata aur ye kya tarika hai ghanti bajane ka"

Main... Ander aa jaun ya bahar hi rakhne ka irada hai

Pari... Namaste bhaiya

Niraj.... Tu gadha hai aa ander aa khud bhi bahar khara hai aur ise bhi khara karwaye hai

Massi mujhe aur Pari ko dekh khush ho gayi. Hum dono ko gale lagate hue...

"Mera bachha kitna sukh gaya hai khata nahi tha kya ghar par"

Niraj bhaiya.... Kuch nahi ho sakta mom tumhara. Ye tera mustanda beta tujhe kanha se sukha-sukha lag raha hai. Ab to Pari ke kahne par do roti extra hi kahata hoga.

Massi mere chehre par hanth ferte hue... "Chup kar, najar na laga mere bache ki sehat par" fir pari ko dekhte hue ... "Tu chup kyon hai meri bachi tu to meri pyari bahu hai" massi ne Pari ke sir par hanth rakhte hue boli.

Massi ki bat sun Pari thodi sharma gayi aur apni najren nichi kar li.

Main... Massi Gunajn di aur Sunaina kanha hai ?

Massi... Sunaina abhi aati hi hogi aur Gunjan apne kamre me hai ... "Gunjan bahar aa betu aaya hai"

Gunjan di apne kamre se... To wo yanha nahi aa sakta kya usske paun me menhdi lagi.

Pari wanhi massi ke pas baith gayi aur main Gunjan di ke pas chala aaya.... "Kaisi ho Di"

Ginjan di... Chhor na main jiun ya marun tu ja apni joru ke pas

Main.... Ohhh ho ! Bhore-bhor ukhri Gunjan di. Ab kya hua, kaho to Pari ko kan pakar kar nikal doon.

Aao dekha na tao gunjan di ne kas ke ek chipka di .... "Besharam itti pyari meri bhabhi ko tune chhorne ki bat kari. Nalayak teri juban jara bhi na larkhrayi itni bari bat bolte."

Maine to pahle sir khujaya ki "khud to tane de rahi thi aur main bola to mujhe ek chipka di achha ruko"

Main bhi gussa dikhate hue wanhi jamin par baith gaya aur apni pith Gunjan di ki taraph kar di.

Gusse me unhone chipka diya ya mazak me pata nahi par meri nautanki shuru ho chuki thi aur main chup-chap farsh par baitha tha.

Kaphi der ho gaye mujhe baithe hue par Gunjan di ne kuch bola hi nahi. Main dhire se sir ghuma Gunjan di ko dekhne laga ki ye aakhir kar kya rahi hai ... Par ye kya Gunjan di to koi menhdi ki kitab dekhne me vyast thi.

"Yaar ye to mera hi popat ho gaya" ab main sidha ghum kar Gujan di ki ore baith gaya par abhi koi respond nahi wo to bas vyast thi kitabon me. Unka dhyan khincne ke liye main siti bajane laga.

"Siti bajana band kar main menhdi ki desine dekh rahi hoon aur teri ye siti distrub kar rahi hai" Gunjan di ne bina meri ore dekhe apni kitabon me lagi bol di.

Ab to jaise khud par hi gussa aa raha tha ki "Gunajan di to aishe hi kai bar chipkate rahti hai par main faltu me yanha baith gaya koi respond hi nahi mil raha"

Phir main taunt karte hue .... "Achha hai khud bolo to sab sahi aur main bola to kharab ho gaya. Suna tha log shadi ke bad badal jate hai par yanha to shadi se pahle logon ko badalte dekh raha hoon"

Gunjan di ne jhatke se apni kitab band ki aur apni jagah se uth gayi. Mujhe laga mere pas aayengi par wo kamre ke bahar chali gayi. Aaj di ka reaction dekh main achambhit tha kyonki jan to di bhi rahi thi ki main drama kar raha hoon lekin pahle pyar se mana leti thi lekin aaj to koi bhaw hi nahi de rahi"

Main kuch der yahi soch raha tha ki mere sir par kuch gila-gila aur chip-chipa mehsus hua. Yakk ye to paint tha jo piche se Gunjan di mere upar dal rahi thi.

Gunjan di... Dimag thanda hua ya barf doon

Main... Kya di aap bhi. Ek to manaya bhi nahi upar se paint dal kar poore kapre kharab kar diye jao main aap se bat nahi karta.

Didi mere samne ghutno ke bal baith gayi aur mere chehre par laga paint hatate hue.... "Dekhne de mere bhaiya ko thoda, kab se muh fulaye baitha hai. Par tu ye bata itni natanki kyon karta hai ... Aur haan manph kar de mujhe tu baitha tha yanha aur wanha mera kaleja jal raha tha".

Main... Muh banate hue, jao didi jab aishi bat thi to mujhe utaya kyon nahi. Ye bhi nahi socha ki mere dil par kya bit rahi hogi.

Gunjan Di mere kan pakrte hue.... Kyonki tune Alisa ko bahut sataya tha use bahut dauraya tha ye uska badla hai. Ab chal ja naha le dekha bhi nahi abhi thik se tuje.

Main.... To kya ab tum Pari ke sath bhi...

Gunjan.... Tera dimag bahut chal raha hai. Socha hai uske liye bhi kuch socha hai par yadi use bataya na to fir samajh le.

Main apni jagah se khara hote hue...

"Didi wo Pari hai dekhna kanhi khud tum apne jal me na par jao" itna bol main bhag gaya bilkul wanha se.

Main jaldi se batroom ne chala gaya aur poore paint ko apne sarir se saf karne laga. Gunjan di ne to aaj pot hi diya upar se ye paint kahi se chhutne ka nam hi nahi le raha tha.

Kaise-kaise saf kiya bhagwan hi janta hai. Par ek samsya aur ho gayi main to kapre le kar aaya hi nahi tha majbooran mujhe tauliya lapet kar hi hall me aana para.

Massi... Hanste hue, haay mera bachha bilkul jawan ho gaya hai dekh to Gunjan kaisa gathila sarir hai bas iske moonch dadhi na aaye dhang se.

Main..... Kya massi aap bhi na. Ek to Gunjan di ne pot di ab batao pahnuga kya

Massi.... Gunjan tu kab bari hogi beta. Ab bata ye kya pahnega

Gunjan di... Rahne do aishe hi apne bache ko achha hai ghar se bahar nahi jayega.

Massi.... Tu ruk betu, Pari beta tum chali jao aur iske liye kapre le aao market se.

Gunjan di.... Had karti ho mom ... Wo yanha tumhara kam karne aayi hai ya apne jaan ke sath chuttiyan manane.

Gunjan di ki bat sunkar Pari ki aankhen bari ho gayi aur wo ek bar meri ore dekhi jaise poochna chah rahi ho ki "inhe kaise pata" ... Maine apni aankhen ek bar dhire se band ki aishe ki bol raha hoon unhe sab pata hai.

Pari... Didi jo maza kam karte hue chutti manane ka hai wo maza bina kam ke chutti manane me kanha. Aur main to bahu hoon mujhe yanhi rah kar kam karna hai mehman to aap hai jo kuch din bad vida ho jayengi. Kyon massi ji sahi kaha na.

(Uuuaaahhh ! Kya jawaw diya Pari dil khush ho gaya)

Massi.... Haan bilkul tu hi to mera sahara hai ise bahut hoga to phone par hal jan legi ya ek din ke liye chali aayegi rahna aur karna to tujhe hi hai.

Gunjan di... Hanste hue, man gayi dono ko ishare me hi poori kahani bata di. Tu sach kah raha tha betu.

Pari... Kya kah rahe the Rahul di

Gunjan di.... Chalo chalte hai raste me sab batati hoon.

Pari aur Gunjan di market nikal gayi aur main wanhi massi se shadi ki taiyariyon ke bare me poochne laga. Massi ko jitna maloom tha bata di aur jo-jo kam pending the unki infomation nahi thi abhi unke pas.

Kuch der mujh se bat karne ke bad massi bhi Niraj bhaiya ke sath market nikal gayi. Main akela wanhi hall me baitha tha.

Main bhi baithe baithe ab shadiyon ka plan kar raha tha ki piche se aawaz aayi ..."Kab aaya bhai"

Mur ke dekha to sunaina thi. Par jis Sunaina se main pahle mila karta tha aur aaj mil raha tha dono bahut alag thi. Uske bhaw aur mujhe dekh kar uska khila chehra ye bayan kar rahi thi ki Sunaina me positive change aaye the. Par uske sath ek pagal bhi aayi thi...

"Hi handsom ! My pleasure to see u in this attair" Urwasi ne mujhe tokte hue kaha.

Main.... Urwasi ko ignore karte hue, Sunaina aaj bari khili-khili lag rahi hai bat kya hai.

Sunaina.... BF se mil kar aa rahi hoon bol diya hai mera bhai aa raha hai hum dono park me ab milenge aaj sam.

Main.... Haste hue, tu mujhe taunt kar rahi hai na matalb Alisha di ne sabko ye bata diya.

Sunaina.... Rahul please mujhe puri kahani suna na.

Main.... Tu kya ye sab lekar baith gayi chal khana de mujhe bhookh lagi hai.

Sunaina.... Bhukar kanhi ka main yanha bat karne baithi hoon aur tujhe khane ki sujh rahi hai. Ruk main aayi change kar ke.

Main... Sunaina pahle khana de bad me change kar lena.

Urwasi... Sunaina tu ja main khana laga deti hoon.

Sunaina to thik thi par Urwasi ke samne yun nanga badan main thoda asahaj mehsus kar raha tha. Par kar bhi kya sakta tha.

Sunaina abhi apne room me gayi aur hanth me ek chunni liye jaldi se mere pas aayi. "Le badan dhak le achha nahi lagta"

Main.... Haaa ! Chal tume mere man ki bat jan li ab ek kam aur kar ise futa jaldi yanha se mujhe ye pasand nahi.

Sunaina.... Bhai ye utti bhi buri nahi par tujhe dekh pata nahi kya sochne lag jati hai.

Main... Sunaina lekin tujhe to pata hai na ki main aur Pari fir bhi yaar ye to galat hai.

Sunaina... Rahul main use kosis karti hoon samjhane ki lekin tujh se ek request please use ignore na kiya kar do din ke liye aata hai itne me kya ho jayega yadi tu pyar se bat kar lega.

Main.... Sunaina tu bat kyon nahi samjhti isse agar koi galat fehmi ho gayi to tu samjhna.

Sunaina... Rahul use jo hona tha wo to tujh se mil kar ho chuka hai maine use samjha diya kab ka ki tum pahle se commited ho wo apni limit janti hai.

Main.... Lekin yar tu samjhti kyon nahin us se bat karna bhi kharnak hai.

Sunaina... Bhai meri khatir itna kar de. Tu nahi janta isliye aisha bol raha hai main tumhe bad me bata dungi kuch baten wo aati hi hogi aur sun use pyar se samjhayega to samajh jayegi.

Itna bol sunaina chal pari apne kamre ki ore aur main sir par apna hanth rakh sochne laga "ise handle kaise karoon aur iske handle karne ke chakkar me kanhi Pari ko handle karna para to main to gaya". Main apni hi dwidha me phansa tha.
 
UPDATE-132

Itna bol sunaina chal pari apne kamre ki ore aur main sir par apna hanth rakh sochne laga "ise handle kaise karoon aur iske handle karne ke chakkar me kanhi Pari ko handle karna para to main to gaya". Main apni hi dwidha me phansa tha.

"Hello khana khoye hai Rahul ji kanha lag gaya hai"

Main "Oh sorry".... khayalon se bahar aaya aur khana shuru kiya. Urwasi mere samne baithi thi hant ko dianing table par rakh apna sir us se tikaye aur mujhe bas lagatar nihar rahi thi.

Main.... Urwasi aap khana nahi khayi (beman se poochte hue)

Urwasi... Rahul ji mujhe kaun kilayega rahne dijiye aap khaeye

Main.... "Mujhe kaun khilayega" se kya kya matlab aap ka

Urwasi... Yahi ki do niwala apne hanth se bas khila sakte hai to khila dijiye lekin sayad aisha na ho.

Main... Urwasi ji sayad pata ho ki na ho lekin main aur Pari ek duje se jure hai aur aap jaisa soch rahi hai waisa possible nahi. Ab main sidha Urwasi ko attack karte hue..

Urwasi.... Rahul ji Krisna ke to Radha bhi deewani Meera bhi deewani dono ko kya chahiye tha Krishna se kya aap bata sakte hai?

Urwasi ki umar aur baten kanhi se bhi match nahi kar rahi thi. Yun to humesa modern khyalon ki najar aayi par baton me itni gahrayi hogi main ye ummid nahi kar sakta tha.

Main.... Urwasi ji mujhe pata nahi ki aap kya pooch rahi hai. Sorry

Urwasi... Apne chehre par ek phinki si muskan lati hue... Rahul ji mujhe pata hai ki aap samajh chuke hai ki main kya pooch rahi hoon bas jawaw se bhag rahe hai.

Main... Urwasi ji mujhe manph kijiye itni aadhyatm ka gyan nahi bas main itna janta hoon ki main aur Pari ek dooshre ke liye bane hai aur humara pyar atoot hai.

Urwasi.... Jab aisha hai to phir ye dar kyon Rahul ji.

Humari itni hi baten hue thi ki humare bich Sunaina aa gayi. Maine thodi rahat ki sans li.

Sunaina.... Bhukkhar ab tak khaya nahi tu. Urwasi kya plan hai aage ka.

Urwasi.... Sunaina tu 10min thoda apna muh band kar, hum dono abhi kuch discuss kar rahe hai.

Sunaina uske sir par ek hanth marti hue... Chal kar le discussion main tabtak Di ko call kar leti hoon. Itna bol mujhe ek bar fir Sunaina phansa ke nikal gayi.

Urwasi... Haan bataeye Rahul ji phir ye dar kyon ?

Main... Kaun sa dar Urwasi ji

Urwasi.... Pyar me ek dooshre par viswas hota hai Rahul ji par aap ka chehra us dar ko saf bayan kar raha hai jo mujhe lekar aap apne relation ko insecure man rahe hai...

Main... Nahi aishi koi bat nahi hai viswas apni jagah hai par halat kabhi-kabhi aishe ho jate hai ki aankhon dekha yun to galat hota hai par samne wale ko samjhte-samjhte der ho jati hai.

Urwasi... Rahul ji pyar me log aankhon ki bhasa padh lete hai sayad aap ye nahi samjhenge kyonki aap ka dar aap ke pyar par hawi hai.

Main.... Itna discussion kyon aap ko do niwala hi na khilana hai

Urwasi bina muh khole bas haa me apna sir hila di aur uthkar mere pas aa gayi. Wo dianing table par pair latkakar baithi thi aur main ek niwala lekar uski muh ki ore hanth badhaya... Par aaj meri kisamat pahle se hi tay ho chuki thi ...

Main us samay lagbhag uske muh me niwala dal hi raha tha ki jhatke se darwaja khula aur Pari Gunjan di ke sath ghar me.

Scene kuch yun tha ki jise dekh Pari ka muh khula ka khula rah gaya aur wo kuch second tak hume dekhti rahi. Meri najren Pari se takrayi main bas use ek najar dekh ke "Pari" itna hi bola ki wo teji se apne kadam bathroom ki ore badha di.

Main jabtak uth kar jab tak uske pas pahunchta tabtak wo batroom me ja chuki thi. Pari ke teji se jate samay Sunaina us se takra gayi par wo use bhi najarandaj karti hue chali gayi.

Sunaina mere pas pahunchkar mahol ka jayja li aur sawliya najron se meri ore dekhi. Maine apni najar ek bar Urwasi ki ore dali aur Sunaina ko nirasha bhari najron se dekhne laga.

Sunaina samajh gayi ki Urwasi ki wajah se abhi yanha kuch garbar ho gayi hai. "Betu-Betu" itte me Gunjan di ne apne kamre se chillati hue mujhe awaz lagane lagi. Main un dono ko chhor Gunjan di ke pas chala gaya.

Gunjan di.... Betu ye sab kya hai tu itni nich harkat kaise kar raha tha.

Didi bilkul gusse se lal lag rahi thi. Main kya jawaw deta bas sir jhukaye khara tha.

Gunjan Di... Tu bolta kyon nahi. Teri bhi bahne hai koi use aishe cheat karega to tu kya karega. Haan ! Bol kyon nahi raha chupchap kyon khara hai. Nahi tu mera bhai nahi ho sakta jo lakiyon ki izzat na kare wo tu nich aur kamina hai. Nikal ja abhi is ghar se aur sun ye le kapre jo maine kharab kiye the wo de rahi hoon.

Main bahut mayus sa mehsus kar raha tha is waqt kya kahoon kya jawaw doon kuch samajh me nahi aa raha tha. Wakai main pahle wala Rahul nahi tha yadi hota to foot-foot kar rone lagta. Najron ke dhokhe ne mujhe to di aur sayad Pari ke bhi najron se gira diya.

Mera dil bas abhi akela rahna chahta tha isliye main chupchap wo kapre pahan bahar chala aaya. Bahar Sunaina aur Urwasi dono nahi thi sayad chali gayi ho. Hall me aakar chup-chap main baith gaya.

Mujhe najane kyon ab is jagah se is sahar se hi nafrat hone lagi thi. Ab main yanha bilkul bhi nahi rahna chah raha tha. Main jab aata koi na koi jakham hi mila hai aur sayad meri wajah se meri Pari ko bhi kai dard uthane pare hai.

Dosh kisi ki bhi nahi thi meri hi thi. Logic koi bhi aap baton ki do par jo sachai hai is samaj ki use koi nahi jhutla sakta. Jo dekhte hai wahi sach mante hai.

Is samay main kisi ko koi safai nahi dena chata ab mere liye yadi mere apno ka pyar aur meri Pari ka pyar sacha hai to unko viswas karna hoga mujh par.

Main chupchap hall me baita raha kitna samay gujra baithe-baithe hosh kise. Piche se mere kandhe par ek hanth para mur kar dekha to mausa ji the. Apne chehre ko ek jhoothi muskan dete hue ... "Mausa ji aap kab aaye"

"Mere bache tu kis chinta me laga hai mujhe to aaye ghanto hue par jab se dekh raha hoon tu yanhi baitha hai"

Main.... Kuch nahi mausa ji bas aishe hi

Mausa ji .... Gunjan chay bana, aur sunao wanha ghar par sab achhe hai

Main... Haan mausa ji sab achhe hai. Kuch din bad sab yanhi to aane wale hai Gunjan di ki shadi me.

Mausa ji aur meri kuch der wanhi par baten hoti rahi hum ghar pariwar aur shadi par charcha karte rahe. Kuch samay bad Gunjan di bhi chay lekar aa gayi ab bhi unke chehre se gussa saf jhalak raha tha.

Mausa ji ne Gunjan di ko bhi bitha liya bat karne ke liye. Gunjan di ne kya socha pata nahi lekin unhone Pari ko bhi awaz laga di. Pari ki aawaz jab aayi "aayi didi" main sun ke hairan ho gaya.

Bari hi bhari awaz me jawaw di aisha laga jaise kaphi samay tak roti rahi ho. Aur jab chehra dekha to main khud par kabu na rakh saka. Aankhon ki silwate ye bata rahi thi ki meri Pari kitni royi hai.

Dhire-Dhire sare log ikattha ho gaye par meri, Gunjan di aur Pari ki baten nahi ho rahi thi.

Sunaina ne sara mahol bhanp gayi isliye mujhe uthakar pane sath le gayi.

Sunaina... Kya hua di ne kuch bol diya kya ?

Main... Nahi kuch nahi

Sunaina... Tu bolta kyon nahi kuch bhi jab kuch hota hai chuppi sadh leta hai .... Di ko bataya ki maine tujh se kaha tha aisha karne

Main... Jane de na main hi galat hoon jab viswas hi nahi raha to kuch bata ke kya fayda

Sunaina.... Tu pagal hai ... Aur tune Pari ki halat dekhi us se koi bat hue ki nahi

Main.... Nahi ab tak koi bat nahi hue

Sunaina..... Tu duffer hi rahega. Abhi kya karna hai sabke bich baitha hai ja ke. Bhai halat dekh uski. Manti hoon ki tere jaisi akal nahi par bhai Pari ke samne Urwasi ne tujh par kai bar chance mare hai wo to bardast nahi kar pa rahi hogi.

Main.... Aur main Sunaina .... Itte dino ka Pari ka hi nahi balki di ka bhi pyar aur viswas wo koi mayne nahi jo ek bar dekh kar mere bare me itna galat soch li.

Itna bol main main chala aaya hall me. Kuch der bad sabha tooti. Yun to khane ka man nahi kar raha tha par sab the isliye thoda thoda kha raha tha. Aur sayad Pari ka bhi yahi haal tha.

Use apna gum tha mujhe apna aur hum dono apne hi gum me ghute ja rahe the. Jaise maine poora din khoye-khoye gujar di waisi hi pari ne bhi. Gum alag-alag par dard ek sa mehsus ho raha tha.

Kisi tarah niwala halak se niche ja raha tha. Dil to rone ka kar raha tha magar aaj kismat mujhe rone bhi na de rahi thi.

Kha kar sab uth gaye par na to Pari aur na hi mera khana khatam hua. Ek niwala kai minton bad halak ke.

Massi... Are kya hua tum dono ko itna dhime kyon kha rahe ho.

Main.... Ghigyayi awaz me, bhookh nahi thi massi jabardasti kha raha hoon.

Meri awaz sun massi to chunki hi lekin pari ne bhi meri ore aishi najron se dekha jaise uske sarir se ruh bahar aa rahi ho. Khud to dard me thi par meri karah bhari awaz sun kar wo bawri ho uthi.

Massi ne fir dobara nahi poochi bas itna kaha ... "Thik hai beta rahne de aur Pari beta tumhe bhi sayad bhookh na hogi chhor do jao tum dono kal subah aa jana aur haan bhookh jaga kar aana"

Meri awaz sun massi ko sayad kuch aabhash mili ho isliye wo hum dono ko yanha se alag bhej rahi thi taki koi bhi masla ho use aapas me suljha sake.
 
Back
Top