• Hello Friends You can Register on the Forum and by posting you can earn money too.

Hot Sex Stories - Haunted ~~ " Game Of Rings "

Mausam ke sath kuch badal raha tha, waqt kafi aage badh chuka hai par kuch batein aisi lagti hai mano kal ki hi baat ho. Jisne khoya vo kabhi nahi bhulta aur jisne paya ho vo sada uske sath rehta hai. Yun hi nahi kehte na hum ki jo waqt gaya vo khushi dekar gaya ya gum ye hum sirf tabhi mehsus kar pate hain jab khoya aur paya dono ek sath ho.

Us raat mene use khoya tha aur phir paya bhi. Jitni gehri vo raat thi utna hi gehra uska asar bhi tha. Mein janti thi vo takleef mein hai par mujhse kabhi nahi kahega, man hi man shayad vo maan chuka tha ki jesa vo hai vesa hi rahega aur usne is baat ka dukh mujhe kabhi dikhaya nahi vo khush tha lekin mene umeed nahi chhodi thi kyun ki mein janti thi jis vishwas ke sath vo mujhe lekar aya hai mein use utne hi vishwas ke sath ek din khada karungi. 5 saal lage shreyas ko par vo mujhe vapis mila us roop mein jiski umid mein 5 salon se karti ayi thi.

Nidhi ne puri kahani sunne ke baad ankh se chalak aye ansu ko ungli se hataya aur anshika ki taraf dekhne lagi, " tumhara letter dekh kar mujhe bahut khushi hui thi varna mene to umid hi chhod di thi ki kabhi mulakat hogi "

" janti hun, par nidhi tumhare sath bahut galat hua hai isliye jab mujhe tumhara koi contact nahi mila to mene tumhe letter bhejne ka faisla kiya kyun ki tumhe is kahani ko janne ka pura hak tha, I are very sorry nidhi, avinash ko shreyas kabhi nai bhul paya hai " anshika ke kehte nidhi ro padi.

" i know, mene jab suna tha ki hadsa hua hai aur uske baad avinash nahi aya to kuch time tak hum umeed karte rahe lekin phir humne chhod di kyun ki hum samajh chuke the ki ab vo nahi ayega, bas is baat ki chuban hamesha thi ki uske sath hua kya ? "

" aur iske liye mein jimmewar hun nidhi mene hi police ki madad se ek aisi kahani banai taki kisi ko kuch pata na chale is dar se kahin sab mil kar shreyas ko kuch na kar de aur bit-te 5 salon mein mujhe is swarth ka hamesha afsos raha ki mene khud ke liye sabhi parwar ko ek sawal mein chhod dia isliye phir jab shreyas theek hua to mene faisla kiya sabko sach batane ka aur jab mene tumhe letter bheja to mein janti thi tum mujhse milogi. I am sorry nidhi, i am very sorry " anshika ne nidhi ka hath pakdte hue apni baat khatam ki.

" oh god, mein rona nahi chahti " nidhi khud ko sambhalne ki kosish karne lagi aur anshika use dilasa dene ki. Rishton ki ye aisi khasham-khash thi jo puri hokar bhi adhuri hi rehti thi.

" tumhe chinta hai ki mujhe is baat ka gussa hai ki tumne ye sab chupaya ? nahi anshika mein to kabhi samajh hi nahi paungi ki tum logon ne kya dekha hai aur tumne kya mehsus kiya hai " nidhi ne anshika pe hui aap-biti par baat khatam ki aur kuch der dono mein koi baat nahi hui.

" khush hun ki ab sab kuch theek hai, us raat ke har panne band ho chuke hain " nidhi ne phir shuruwat ki

" umeed to mene bhi yahi ki thi nidhi " anshika kuch batana cha bhi rahi thi par bol nahi paa rahi thi.

" matlab ? "

" kuch nahi, chai thandi ho gayi hai mein dubara bana lati hun " anshika jane lagi par nidhi ne use rok liya. Anshika ki ankhon mein koi baat thi jo vo keh nahi paa rahi thi aur nidhi use sunna chahti thi.

" shreyas bol nahi sakta, har doctor ko dikhaya mene har kosish ki par uski awaz vapis nahi aa saki, doctor ka yahi kehna hai ki uske galle mein koi aisa ghav hai jisne uski awaz band kar di jakham bhar bhi sakta hai aur nahi bhi. Mene kafi kosish ki jis tarah ki kar sakti thi lekin kuch kahani to khatam ho jati hai nidhi par uska saya shayad khatam nahi hota vo aaj bhi shreyas se juda hai " anshika khidki se bahar dekh rahi thi aur nidhi theek uske piche khadi use hi sun rahi thi.

" mein samajh sakti hun par mujhe pata hai tum dono ne himmat nahi hari hogi, shreyas ki awaz "

" vapis aa chuki hai nidhi " anshika ne nidhi ko bich mein hi rok dia tha.

" mein kuch samjhi nahi anshika abhi tumne bola "

" jese mene kaha, kahani ka ek saya abhi bhi shreyas ke sath juda hai, shreyas bol nahi sakta par us raat jab mene " anshika nidhi ki taraf dekhti hui us raat ki baat batane lagi.

[Baat ek saal purani hai, mein har mumkin kosish kar chuki thi shreyas ki awaz vapis lane ki par kuch bhi samne nahi aa raha tha phir us raat hum dono gehri nind mein the tabhi meri nind khuli. Koi awaz thi jisne meri nind kholi thi, koi tha jo bahut dhire bol raha tha. Mene turant light on ki aur dhayan se sunne ki kosish karne lagi par agle hi pal samajh aya ki awaz mere bagal se yani shreyas ki taraf se aa rahi hai. Mene jese hi uski taraf dekha to vo nind mein kuch bol raha tha uski awaz mere kano mein padh rahi thi ek pal mujhe laga jese meri zindagi ki bachi hui khushiyan mil gayi ho. Mein shreyas ki taraf badhi is umeed mein ki use utha kar uske muh se apna naam sunu, par jese hi mein use uthane gayi to uski ati awaz ke shabdon ko pehli baar dhang se suna, jise sunte hi meri muskan kahin kho gayi. Vo dard mein tha jaise kisi ko bachane ki kosish kar raha ho par kar nahi paa raha ho, phir achanak se vo tez tez chillane laga. Mein ghabra gayi, ek baar laga koi bura sapna hai par ]

" par kya ? " nidhi ichukta mein bol padi.

[" shreyas, shreyas utho shreyas " mein shreyas ko is halat mein dekh nahi paa rahi thi isliye use uthane ki kosish karne lagi par mano vo jese kahin kaid tha aur bahar nikal hi nahi paa raha tha. " shreyass " is bar mein puri takat se chillai aur vo ek dum se uth batha.

" shreyas " mein uski taraf badhi aur vo bas kuch der baitha raha. " shreyas kya hua ? " mene uska chehra apni taraf kiya is umeed mein ki vo theek hai aur ye baat vo khud mujhse kahega, apni awaz mein. Par usne har baar ki tarah ishare mein mujhse pucha ki 'kya hua' mano jese kuch hua hi na ho. Mujhe laga vo mere sath mazak kar raha hai.

" shreyas kuch kehna hai ? " puchne par usne phir ishare se mana kiya aur hum dono jagge kyun hai ye pucha, mei use batana cha rahi thi par mene use us waqt nahi bataya.]

" puri raat mein ye sochti rahi ki abhi hamare sath kya hua ? agli subah sab batana chahti thi par shreyas ki tabiyat kharab hone ki vajah se pichli raat ki baat mein bhul gayi aur fir kuch din baad wahi kissa dubara hua jiske baad nidhi vo har raat ki kahani ban gayi, shreyas yun hi dard mein tadpadte hue chillata aur phir sab kuch bhul jata, bit-te din ke sath aisa lagne laga "

" jese kahani ki parchai abhi tak uske sath ho " nidhi ne anshika ki ankhon ke piche chupi baat ko samajh liya tha.
 
" shreyas aaj bhi apne doston ko bahut yaad karta hai nidhi aur aaj tak un sab ka doshi khud ko manta hai. Kese bataun use ye baat ? mushkil se to himmat mili hai use jine ki " anshika ansu poch bhi rahi thi aur rok bhi nahi paa rahi thi.

" kuch chizen kehne ke liye nahi hoti anshika " nidhi ki baat anshika fauran samajh gayi.

" par use kuch chupana ? " bolte hue honth kanp rahe the.

" kabhi kabhi apno ke liye chupana jaruri hota hai, i know jis din tum use bataogi to vo jarur samjhega, kahan hai shreyas ? " ankh se chalak aye ansu ko hatatte hue nidhi anshika ki taraf dekhne lagi.

" jab se hath pairon ne sath dia hai tab se jada tar apna waqt sabke sath guzarta hai "

" matlab " nidhi boli.

" chalo "

" shreyas " awaz sunte hi vo painting banate hue ruk gaya " dekho kaun aya hai " anshika ke kehne par jab vo hath poch kar piche muda to nidhi ko dekh mano use ek pal yakeen nahi hua aur agle hi pal uske chehre par khushi aur gum dono ek sath aa gaye. Bina waqt gawaye vo nidhi ki taraf badha aur nidhi uski taraf. Usne nidhi ka hath apne hath mein liya aur sabse pehle jo nidhi ne uske muh ko padh kar samjha to vo jaan payi ki usne abhi abhi maffi mangi hai. Shreyas nidhi ka hath chhuda kar use kuch dikhane ke liye dusri taraf gaya aur vahan se painting ka cover hata dia. Painting dekh kar nidhi ki ankh bhar ayi. Painting mein Avinash ka hansta hua chehra tha iske baad shreyas ne aas pas rakhi painting ka cover hataya to nidhi ko samajh aya ki vo har time yahan kya karta hai, usne apne doston ke alag alag chitr banaye hue the, itna hi nahi jis painting ke sath shreyas khada tha use dekh kar to nidhi ro hi padhi usne apne muh par hath rakh lia kyun ki usme shreyas ne kuch aise chitar banaya the jo ye darsha rahe the ki agar Avinash jinda hota to shayad aaj kuch is tarah hota. Nidhi kuch pal yun hi dekhti rahi phir jab usne shreyas ki taraf dekha to vo kaan pakad kar khada tha, ansu uski ankh se bhi utar chuka tha, ye dekhte hi nidhi apne aap ko rok na payi aur uske galle ja lagi.

" tum harsh se pyar karti thi na ? " Anshika ne nidhi se pucha, dono garden ke bench par baithe the.

" han aur yahi wajah thi ki mein tum logon ke sath nahi ayi kyun ki jo chiz mene shreyas ki ankhon mein tumhare liye dekhi thi use khud ko mehsus nahi karwa sakti thi isliye mene khud ki jagah Avinash ko bhej dia aur agar mene aisa na kiya hota to vo aaj hum sab ke bich hota, somewhere i feel i lost my brother because of me "

" hamara liya har kadam to kahani ka hi hissa hota hai, tumhari baton se shreyas ki likhi baat yaad aa gayi, he is calling us "

" tumhe kese pata ? " dono ne mud kar dekha to shreyas andar ane ke liye hi bula raha tha. " Ehsas sath hai jo pehle dekh nahi payi thi "

Teeno ne sath baith kar khana khaya aur nidhi jane ke liye nikalne lagi, jate-jate use yaad aya ki vo kuch layi thi " anshika ye mujhe shreyas ke ghar mile the "

" ye tumhe kaise ? " anshika ne uske hath se lete hue kaha.

" hadse ke baad aksar tumhare ghar, shreyas ke ghar aur apne kai doston ke ghar jaya karti thi is umeed mein shayad kisi ki khabar mil jaye. Usi dauran ek sham mein jab shreyas ki ghar gayi to har-bar ki tarah wahan sirf ek band-darwaja hi mila, wahin par post box dikha jisme shayad kuch waqt se pade the kaam ke the ya nahi keh nahi sakti thi isliye jab tumse milne ka tay hua to le ayi "

" thank you " anshika ne letters dekhte hue nidhi se dubara milne ka vada kiya aur shreyas se milne ke baad vo vahan se chali gayi.
 
Fir us raat...

" shreyas, shreyas " halki halki awaz kano mein padh rahi thi, nind mein band ankhein idhar-udhar ghum rahi thi mano vo jaag gayi ho " shreyas mujhe yahan se le jao shreyas, mein bahut takleef mein hun... " awaz kuch pal shant hui " shreyass "

" anshikaa " shreyas awaz lagate hue khada hua, uski sansein tez thi, chehre par dar tha par jab dar ki jagah khud ko ek aisi jagah paya jahan hona namumkin tha. Vo zameen par baitha andhere mein sirf ek chiz dekh paa raha tha aur vo tha Sabarwal House jo theek uske samne tha. Thandi hawa dur se teharti hui ayi aur shreyas ki badan ko chu gayi mano kuch batana chahti ho aur shreyas use mehsus karte hi sihar utha.

Vo apni jagah se khada hua aur bangle ki taraf badha, ajeeb si awazon se vo jujh raha tha mano kitne logon ki awaz judi hun un hawaon mein. Vo bangle ke najdeek pahunch chuka tha par uska darwaja band tha aur na hi koi halchal andar se mehsus ho rahi thi. Andhere mein kuch dekh pana mushkil ho raha tha. Shreyas ye samjhne mein asmarth tha ki vo yahan aya kese aur usne to aaj tak is bangle ko kabhi dekha bhi nahi tha to phir use ye itna jana pehchana kyun lag raha tha, dil zoron se dhadak raha tha aur sawal man se hatt nahi rahe the. Hawa abhi bhi kuch keh rahi thi " shreyass... "

" anshika " vo piche muda lekin hawa ka jhokna phir vahan se guzar gaya aur tabhi uske kano mein ek awaz padi. ' taddd-ddd ' darwaja khul gaya. Usne bangle ki taraf apni nazar ghumai aur apne kadam andar badha diye. Bahar jitna andhera tha andar utni hi roshni thi, uske liye ye bahut chaunkane wali baat thi ki andar ki roshni bahar se dekhi hi nahi jaa rahi thi uska man mein anhoni hone ka sawal jaag utha tha vo janta tha ki kuch galat hai kuch bahut galat par phir bhi usne apne kadam andar rakh die aur bangle ka darwaja band ho gaya.

Jitna sundar utna hi saaf tha jese ye bangla jivit hai. Shreyas ne charon taraf nazar ghumai, hall ke bichon bich rakhi dining table aur sofa, bagal se wo corrdior aur phir uski nazar us kamre ki taraf padhi jahan par kahani ki shuruwat hui thi. Uske per khud-ba khud us taraf chal diye, uske chalne ki awaz bangle ke andar gunj rahi thi aur jese hi vo vahan pahunch kar uspar dastak deta use pehle

" shreyas " awaz sunte hi vo chaunkta hua piche pada.

" anshika tum .. " anshika dining table par khana laga rahi thi.

" shreyas aao, vahan kya kar rahe ho, acha baba mein hi lene aa jati ho " shreyas anshika ko khud ki taraf ati dikhi vo use lekar dining table tak gayi aur phir use baitha kar khana lagane lagi.

" anshika hume yahan nahi hona "

" khana khao shreyas "

" anshika hume yahan hona nahi chahie, anshika " shreyas ne anshika ka hath pakdte hue kaha to dono ek dusre ki ankhon mein dekhne lage.

" khana khao shreyas " bola to anshika ne tha par awaz kisi aur ki hi thi ek aisi darwani awaz jisne shreyas ke raungte khade kar diye aur usne anshika ka hath chhod dia. Jese hi usne hath chhoda use mehsus hua ki bangle mein ghup andhera hai aur vo kursi par akela baitha hai. Thand ke mare uske muh se dhuain nikal raha tha par dusri taraf uske mathe par pasina tha.

" kya ho raha hai ye " man mein udedh bhun se adhe sawal jiska jawab nahi tha, vo apni jagah se khada hua aur sidiyun ki taraf badha. " anshika " usne awaz lagai vo chahta tha ki samne se iska jawab na aye par use anshika ke hone ka abhas ho raha tha. Tabhi corridor se kuch ahat hui jese koi chal raha ho.

" koi hai ? " awaz ki taraf vo dhire-dhire badha aur corridor ke andhere mein dekhne laga. Mehsus ho raha tha aur galat nahi tha koi tha us andhere mein kaun nahi pata par koi tha jo andhere mein uski taraf aa raha tha, " kaun hai " shreyas is bar chillaya, dil uska bhi zor se dhadak raha tha aur vo andhere mein hota hua uski taraf hi badh raha tha.

" aaaaaah--hhhhhh " cheekh se shreyas ne awaz ki taraf dekha to bahunchaka reh gaya, samne ek behad darwani shakal wali ladki hawa mein uske chehre ke ek dum najdeek thi, chehra pura nila aur kureda gaya tha. " shreyassss....aaaaaaaahh " vo ek baar phir bhayanak awaz mein chikhi to shreyas ne apna muh chupa liya aur phir vo ek dum se gayab ho gayi. Shreyas gehri gehri sansein lete hue zameen ki taraf dekh raha tha ki usi pal pure bangle mein roshni laut ayi.

" shreyas " is baar awaz bilkul jani pehchani thi, usne apni nazar utha kar dekha to sidiyun ke uppar anshika khadi thi.

" anshika tum yahan "

" shreyas bahut dard ho raha hai " ruyansi galle se vo boli " please mujhe le chalo "

" anshika " shreyas uski taraf badha, " mein aa raha hun " vo sidiyun tak pahuncha hi tha " shreyas " awaz sun uske kadam ruk gaye kyun ki awaz samne se nahi balki piche se ayi thi, usne piche mud kar dekha " anshika " vo hairan tha.

" shreyas mujhe bacha lo, vo mujhe lene aa raha hai "

" tum anshika ho to ye kaun hai " usne samne nazar ki to jo anshika uske samne thi vo uski taraf jhuki aur muskura di. Shreyas samjhta use pehle vo zor dar cheekhi

" aaaah--hhh " uski cheekh mein itni takat thi ki usne shreyas ko utha kar piche patak dia aur vo hawa mein udta hua table par gira aur phir zameen par sar ke bal jaa gira. Uske girte hi bangle mein phir andhera ho gaya.

" shreyas... " awaz bagal se ayi, anshika uske thodi dur mein hi khadi thi, shreyas dard mein karhate hue uski taraf dekhte hue kuch karta use pehle anshika ka sharir hawa mein uda aur vo pet ke bal gir gayi. " aaaaahh shreyas.. " shreyas apni jagah se uth kar kuch kar pata use pehle anshika ko ek sayan khinchta hua corridor ke andhere mein kahin le gaya.

" anshikaa " nind khulte hi shreyas gehri gehri sans lene laga. Awaz itni tezz thi ki anshika jaag uthi, use laga shayad phir shreyas ne koi bura sapna dekha hai.

" shreyas kya hua ? " par vo anjan bani rahi lekin is baar kuch aur hona baki tha.

" mujhe vapis jana hoga anshika, kuch hai jo vapis aaya hai " shreyas ne bina sune apni baat keh di.
 
" anshikaa " nind khulte hi shreyas gehri gehri sans lene laga. Awaz itni tezz thi ki anshika jaag uthi, use laga shayad phir shreyas ne koi bura sapna dekha hai.

" shreyas kya hua ? " par vo anjan bani rahi lekin is baar kuch aur hona baki tha.

" mujhe vapis jana hoga anshika, kuch hai jo vapis aaya hai " shreyas ne bina sune apni baat keh di.

" ye kese ho sakta hai shreyas ? " anshika ko jo dar tha vo shreyas ke muh se sun rahi thi par vishwas use abhi tak nahi ho raha tha.

" mei nahi janta anshika, par vo log, vo mautein aur tumhe mene sabarwal ke bangle mein, par koi hai jo mujhe samjhana cha raha hai " ankhon mein jese har takleef ka dard ek sath hi umad pada tha.

" tumhe sab yaad hai jo tumne dekha ? " anshika apne man ke sawal khatam karna chahti thi.

" han, har ek chiz, jese mere samne hui ho aur mei kuch kar nahi paya, anshika mei kisi ko nahi bacha paya " anshika soch mein padh gayi. Shreyas ko samjhte der na lagi ki vo kuch batana chahti hai, " anshika tum kuch batana chahti ho? "

" shreyas.. " vo ruki, shabad ikhate kiye aur phir boli, " pichle 1 sal se tumhe aise sapne aa rahe hain aur tum har raat isi tarah dar kar chikhte ho aur phir sab bhul jate ho, i am sorry mene tumse is baat ko chupaye rakha " usne ek sans mein apni baat khatam kar di. Shreyas use dekhte raha, kuch nahi bola aur uske galle lag gaya.

" shreyas "

" anshika mujhe jana hoga, mei janna chahta hun ki ye sapne mujhe kyun aa rahe hain aur tumhara kya rishta hai inse, mene jo mehsus kiya hai aaj vo mein ek baar pehle bhi kar chuka hun " shreyas ki baat ke aage anshika ke pas uska koi jawab nahi tha. Do pal ki khushi vo mehsus kar pati use pehle uska pyar use alag ho raha tha bhale hi kuch palon ke liye.

Agli subah shreyas kuch sawalon ko khatam karne nikal pada, socha to yahi tha ki kahani 5 saal pehle hi khatam ho chuki hai to phir in sabka mujhse kya rishta ? kya vakai mein kuch hai ya phir ye mera hi dar hai jisne mujhe vapis jane par majbur kiya hai ? Par agar vakai koi sawal kahani se nahi judi to aise sapne mujhe kyun ? kya koi andekhi kahani ki dastak mujhe dikh rahi hai par kese ? mujhe kyun ? anshika kyun ? Khan aur neha ki ruh ke baad koi nahi hai jo kahani se bacha ho, nahi mene koi galti nahi ki, mene wahi kiya jo kahani mujhse karwa rahi thi, par phir kyun ? Dimag sawalon se bhara tha, rasta bhi lamba tha par kab sawal aur unke jawabon ko khojne mein beet gaya pata hi nahi chala.

Pehle ki tarah ooty mein aaj bhi utni hi thand thi, sheher aaj bhi wesa hi tha, khubsurat aur shanti se bhara. Jese jese rasta badh raha tha shreyas ke jehan mein ek ghabrahat thi isliye thi ki kya usne apne waqt ki kahani mein kuch adhura chhod dia tha ?

Gaddi ki gati dhime karte hue shreyas andar se hi resort ko dekhne laga jo aaj bhi wesa hi tha jesa vo us raat chhod kar gaya tha. Usne break laga kar gaddi roki aur wahin baitha raha. Engine ki ati awaz itni khamoshi mein gunj rahi thi phir usne gaddi band ki aur ek gehri sans chhodte hue vo gaddi se utra jahan vo kabhi dubara ana nahi chahta tha. Thandi hawa ne uske badan ko chuaha aur vo dhire dhire aage badha, resort ki halat vesi hi thi jese us raat rahi hogi, pichle 5 salon mein koi usse theek karne nahi aya, tute hue pathar, zameen, resort ki building jo aage se tuti thi use dekh shreyas ko us raat ki yaad aa gayi jab harsh ke andar khan ki ruh thi aur kese usne avinash ki jaan li thi.

Ankhein khol kar usne khamoshi ko mehsus kiya jo ki bilkul aisi thi mano yahan kabhi kuch badla hi na ho. Ki tabhi uska phone bajne laga.

" kuch nahi hai anshika, kuch bhi nahi " shreyas ne phone uthate hi kaha.

" to phir ? "

" pata nahi un sapno ka mujhse kya matlab tha "

Anshika ki pareshani uski awaz mein jhalak rahi thi " mujhe kuch acha nahi lag raha, tum vapis aa jao "

" han mein kal tak vapis aa jaunga "

Thoda ruk kar anshika ne sawal kiya " aur kuch badla "

" nahi bilkul wesa hai, koi nahi ata, koi nahi jata, mere sivaye yahan koi nahi hai anshika "

Anshika khidki se asman ki taraf dekhte hue boli " raat hone ko hai, mein nahi chahti ki tum vahan aur ruko "

" han anshika, mujhe nahi lagta yahan kuch milega "

" vese tum khojne kya gaye the " anshika kal se is sawal ko puchna cha rahi thi.

" kisi ke milne ki umid " shreyas ne gaddi start ki aur wahan se nikal gaya.
 
" aaj raat yahan ruk kar mein vapas aa jaunga, tum apna dhayan rakhna "

" tum bhi " anshika kuch aur kehna chahti thi par itna keh kar usne phone rakh dia.

Sapne bevjah the to mujhe alag-alag chehre kyun dikhe? Aur vo log mujhe kese dekh paa rahe the ? kyun ki unhe marta dekh raha tha par bacha nahi paa raha tha? Aur anshika ka sabarwal ke bangle se kya samandh? kaun juda hai jisne mujhe jod rakha hai ? kya ye sirf ek itefak ho raha hai mere sath ya phir ? nahi anshika ne bataya ki 1 sal se mere sath aisa ho raha hai yani 1 sal pehle kuch hua hai ? agar hua hai to use pata kese karun ? mein to un logon ko janta hi nahi, kahan hua kab hua ye to mujhe yaad hi nahi hai, to phir kese khojun ? kya vajah hai mere judne ki, kya ?. Shreyas palang par lete hue gehri soch mein khoya hua tha, adhi raat ho gayi thi, nind use konso dur thi, usne socha anshika se baat kar le, ye soch kar usne phone uthaya. " So rahi hogi " ye soch kar usne apna man badla par itne mein anshika ka phone ane laga.

" nind nahi aa rahi ? " pehla sawal anshika aur shreyas dono ka ek dusre se tha.

Shreyas ne gehri sans chhodi, " nahi, tumhe "

Anshika ek sal se pareshan thi vo janti thi ki jis din shreyas ko pata chalega vo bahut pareshan ho jayega aur hua bhi kuch aisa hi, " shreyas tumhari chinta ho rahi hai "

" mei theek hun anshika bas "

" tumhe lagta hai koi saya hai jo tumhare sath juda hai ? " anshika uska man halka karna cha rahi thi.

" kese anshika ? mera sawal hai kese ? "

" mujhe bhi is sawal ka jawab nahi malum, par tumhe kuch aisa lagta hai to mei mana nahi karungi ki tum galat soch rahe ho "

" mei manna chahta hun ki mei galat soch raha hun, lekin vo sapne anshika vo sapne sirf ek sapne nahi ek sach the, jese koi mujhe sach dikha kar batana cha raha ho jese koi chahta ho ki mein dekhun " shreyas pareshan tha aur anshika ab maan baithi thi.

Ek pal phone shant raha, " kya tum use khojna chahte ho "

" bilkul nahi, mei bas.. " shreyas ruka " bas tumhare pas sar rakh kar chain se sona chahta hun " itna kehte hi use bahut si batein yaad aa gayi aur uski ankhein nam hone lagi. Anshika ke pas koi jawab nahi tha vo kehna chahti thi ki vo is samay bas shreyas ko apni bahon mein bhar kar baithna chahti hai.

" par agar kuch hai to use mei tumhare najdeek nhi ane de sakta, mei pareshan ye soch kar hun ki kuch hai to khojun kese ? "

" kuch hai to vo tumhare pas khud ayega shreyas, jese har baar is kahani mein aya hai " shreyas ke mathe ki shikan anshika ki is baat ne aur gehra di. Anshika ki baat ek dum sahi thi aaj tak har baar kahani ne khud unhe zaria bana kar khud se joda hai to kya is baar bhi ? Shreyas soch mein padh gaya.

" aur kya pata vo tumhare pass aa bhi gaya ho " anshika ki baat khatam hone tak shreyas ne apni soch ka rukh badal dia. Vo kuch sochte hue bola,

" tum kehna chahti ho ki vo sapne kisi aaur ishara kar rahe hain ? "

" ho sakta hai "

" par kya ? un logon ki darnak mauton ko mujhe dikha kar kya kehna chahti hai ye kahani is bar? "

" kuch bhi ho sakta hai, mein bas itna janti hun ki tum har raat unke sath unke dard mein hote the " phone par kuch pal khamoshi rahi.

" aur jab koi insan itne dard se kisi se juda ho "

" to uski kahani uske dard ke piche chupi hoti hai " anshika ki baat shreyas ne puri ki.

" hmm, dhire-dhire shayad kuch aisa yaad aa jaye jo hume is kahani ki wajah ka ek rasta dikha de " anshika shreyas ko itna ache se samjhne lagi thi ye baat vo dilo zehan se janta tha, bas isliye vo use khone se darta tha.
 
Fir der raat, shreyas gehri nind mein so chuka tha, hotel ke kamre mein halki raftar mein pankha chal raha tha par shreyas ke mathe par ek ajeeb sa dar tha.

" unghh ahh " pyas lagne par uski ankh khuli aur uski nazar samne rakhi machine par gayi jo uske sone se pehle chal rahi thi lekin ab band padi thi. Kamre mein iske alawa aur koi roshni nahi thi. " nurse " vo chillaya par us shanti ko kisi ne nahi toda. Usne dubara awaz lagai par koi nahi aya, vo gehri gehri sansein le raha tha, jab koi nahi aya to usne apne hath se suin hata kar bed se khada ho gaya. Usne kamre ka darwaja khol aur bahar nikla, corridor pura khali pada tha, na koi roshni na koi insan, itni shanti dekh uske man mein dhero sawal ane lage. " helo " awaz gunji aur shanti cha gayi.

" sab kahan gaye ? " bina kisi jawb paye vo corridor se bayein aur mud kar pani ki khoj mein aage badne laga, badte waqt usne apne bagal wale kamre mein bahar se jhank kar dekha to andar ek mariz pada tha, koi budhi aurat thi jo shayad so rahi thi ya behosh. " koi to hai " vo dhire dhire phir aage badne laga aur corridor ke ant mein use pani mil gaya.

Usne pani piya aur glass wahan rakh kar jese hi muda uski cheekh nikal gayi, " aaahhh " samne wahi budhi aurat khadi thi jise usne abhi laite hue dekha tha. Vo use ghur rahi thi, " aunty kuch chahie " sambhalte hue usne pucha to unhone nah mein sir hila dia aur vahan se chal di. Ek pal vo samjh na saka ki uske sath kya hua aur dusre pal jab vo coridor mein vapis gaya to vahan koi nahi tha. Use yakeen nai hua ki ek itni budhi aurat itni jaldi kese pahunch gayi, vo uske room ke pas pahuncha to andar vo aurat aram se usi tarah leti hui thi. Ye kese ho sakta hai ? kya mera veham tha ? ho sakta hai, itni strong dawaiyan de rahe hain kuch bhi ho sakta hai. Sochte hue vo apne room ki taraf badha aur ungli mein pehni ring ko aage piche karne laga. Vo abhi apne kamre tak pahuncha tha ki use laga jese koi awaz aa rahi ho itni shanti mein vo awaz saaf aa rahi thi. Usne ek pal socha aur us taraf badha, kamre ka darwaja khula hua tha aur awaz andar se hi aa rahi thi, vo ek kadam aage badha " ohoo " use laga usne kisi chiz par per rakh dia hai aur uska per gilla ho gaya hai, andhere mein use jada samjh nahi aya par jese hi kamre ke andar phuncha to uski ankhein vahin jami reh gayi.

Farsh par lassh padi thi aur uske sath baitha admi us lash mein se noch-noch kar kha raha tha. Us lash ka pet chira pada tha aur vo admi usme hath dal dal uske maans ko kha raha tha aur usi ke sharir se nikalta khun uske peron mein laga tha. Ye dekhte hi uske muh se cheekh nikal gayi aur uski chekh sunte hi us khate admi ne uski taraf dekha jise dekhte hi vo aur jor se chillaya aur piche ki taraf hua. Piche hone ki wajah se uska per fisal gaya aur vo piche kamre ke gate se ja takraya jise vo gate khul gaya aur us kamre mein jaa gira. Use vishwas nahi ho raha tha apni ankhon par kyun ki farsh par baithe us admi ki shakal huba-hu usi ki jesi thi. Vo jis room mein gira tha, girte hi uske hathon mein kuch lag gaya tha, usne samne se nazar hata kar jab apne hath ki taraf dekha to vo pura khun se sana hua tha. Hath dekh vo phir zor se chillaya vo bahut dara hua tha, tabhi piche se kisi ne uske kandhe par hath rakha jiske rakhte hi jab usne piche ki taraf dekha to ek chehra jiska haal buri tarah se bigda hua tha, pure chehre par bade bade dane hue the aur usme se khun ris raha tha.

" aaaahh-hhhhhh " vo cheekha aur chatpata hua utha par khun ki vajah se fisal gaya vo phir utha phir fisalte hue kisi tarah kamre se bahar nikla, uska pura sharir khun se bhar chuka tha. Vo chillate hue kisi ke hone ki umeed mein bhagne laga, vo hadh se jada dar chuka tha, bhagte hue vo hall tak ek do bar aur fisla, pure floor par khoon hi khoon bikhra hua tha, vo dar kar bina kuch dekhe bhag raha tha, hall ka ant aa chuka tha vo rukta par uska per fisal gaya aur samne lage kanch ko todta hua niche jaa gira.

Nind khulte hi shreyas palang par baith gaya, subh ho chuki thi, uske mathe par pasina tha, vo apni jagah se khada hua aur room ka darwaja khol ka check kia, newspaper bahar pada tha. Usne use uthaya aur room bandh karke padne laga. Kuch bhi nahi tha ya uski dilchaspi nahi thi, usne fold kiya aur wahin rakh kar chehra malne laga phir apni jagah se khada hi ho raha tha ki uski nazar newspaper par padi aur wahin jam gayi.
 
" mene khud dekha hai anshika aur paper mein wahi news hai " shreyas phone par baat karte hue paper ko hath mein lekar baith gaya.

" tumne kal raat us ladke ko marte dekha aur uski news paper mein hai aaj ? "

" han, ayi to aaj ke paper mein hi hai "

" tum theek ho ? " anshika shreyas se yahi puchna cha rahi thi.

" han aur tum ? " shreyas ko samajh aya ki vo in sab mein apne pyar se uska haal puchna hi bhul gaya hai.

" bas tumhari chinta ho rahi hai " anshika ke kehte hi shreyas ne newpaper rakh dia aur ek gehri sans lete hue ye samjhne laga ki kya sach mein koi kahani hai jiske liye vo sab kuch chhod aya hai ?

" tum batao anshika mein kya karun ? "

" mei to bas ye chahti hun ki tumhari takleef dur kar dun " anshika ek pal chup hui " par mujhe lagta hai ki ye koi sanjog nahi, shayad jesa tumne kaha tha ye sapne un sb logon ki mautein tumhe kisi kahani se jod rahi hai to kya pata yahi kahani tumhe kuch dikhana cha rahi ho "

" par uske liye kisi ki zindagi jaa rahi hai anshika "

" tabhi vo tumhe dhund rahi ho ki tum in mauton ka silsila khatam kar do "

" par mein hi kyun ? mujhse is kahani ka vasta kyun ? " shayad sabhi sawalon ke jawab mein koi na koi rasta dikh raha ho par is sawal ka to koi bhi jawab tha hi nahi.

" keh nahi sakti, pichle 1 saal se mein khud se yahi sawal kar rahi hun ki tum kyun ye dard jhel rahe ho kyun mein nahi ? "

" nahi anshika, tumhe mei bahut dard de chuka hun ab aur nahi "

" shreyas "

" mei is kahani ko pata lagaunga aur shuruwat is hospital se karunga jahan par ye maut hui hai "

" to tum jante ho in sabke bare mein ? " sharma ne uske baithne ke kuch der baad pucha.

" janta nahi pehchanta hun "

" kaise ? " bich mein ajay ne sawal se toka.

" kaise aur kyun iska jawab to mere pas abhi nahi hai par jo sach aap khoj rahe hain vo sach apko kabhi nahi milega "

" aur tumhe aisa kyun lagta hai "

" kyun ki jis sacha ka aap sabut khoj rahe hain vo apko nahi milega " sharma bade dhayan se sun rha tha ek pal aage koi aur sawal kiye bina bas use dekhta raha.

" ajay tumhe kya lagta hai ki ye kehna kya cha raha hai ? dekho tum jo bhi ho "

Usne sharma ko bich mein rok kar use kuch yaad dilane ki kosish ki " insan insan nahi raha, kudrat bahut dur ja chuki hai " sharma jo samne baithe insan ko bevkuf samajh raha tha uski achanak se ankhein badi ho gayi.

" kya kaha tumne abhi ? " pehle sawal ke baad sharma ne dusra sawal kiya " tum kese jante ho ye baat ? "

" kyun ki mei vo janta hun jo aap nahi "

" kaun ho tum ? " sharma ab sahi sawal kar raha tha.
 
Shreyas usi hospital ke samne khada tha jis hospital mein usne hadsa hota hua dekha tha. Vo sapna tha lekin par vo ek hakikat ban chuki thi, building ke ek taraf police ka barier laga hua tha. Vo andar pahuncha, kuch police wale the par reception par nahi to usne receptionist se puchna sahi samjha.

" excuse me "

" yes "

" kya aap mujhe bata sakti hain ki jis pateint ka accident hua hai uske ghar wale kahan milenge "

" ye mei kese bata sakti hun ? "

" to aap mujhe unka address de sakti hain ? "

" aap police se ho ? " uske jawab se mene socha han bol dun par pakde jane ke dar se nahi bola.

" ji nahi, uska dost hun, sheher mein rehta hun, khabar padi to jald se jald aa gaya "

" dost hokar address nahi jante aap ? "

" usne ghar badal liya aur jo number mere pas tha vo bhi ab band aa raha hai, dekhiye apko sawal karne chahie lekin mujhe uske pariwar se milna jaruri hai, aap samjh sakti hain " Receptionist se address lekar mei uske ghar pahuncha. Ghar behad chota sa tha, shanti chai hui thi, mene door par knock kiya to ek ladki ne darwaja khola, umar jada nahi thi uski.

" sehzad ka ghar yahi hai "

" ji " mein andar baitha chai ka cup hath mein tha. Ek maa aur do behne thi sehzad ki, uski tasveer samne deewar par lagi thi, chehra dekh pura sapna jese dimag mein ghum chuka tha.

" aunty ye hadsa kab hua ? "

" do din hue beta " bolte hi unki ankhein nam ho gayi, mujhe ye jhakhm dena pasand nahi tha par jaruri tha taki kisi aur sath aisa na ho.

" Sehzad chemical factory mein kaam karta tha, jada koi shauk nahi the, aksar ghar se kaam aur kaam se sidhe ghar aya karta tha par kuch time se roz late ane laga tha, puchne par bas ye kehta ki vo kuch extra kaam kar raha hai taki pese kama sake phir achanak se uski tabiyat bigadne lagi aur ek din use hospital mein admit karana pada par phir bhi uski halat bigadti jaa rahi thi tab sehzad ki maa ne use kisi dargah se anguthi lakar di tab dhire-dhire uske baad usme kuch sudhaar aya, shayad ye unka belief tha jise unka beta theek ho raha tha, iske alawa police ke mutabik shehzad kuch dino se apne chemical factory ke doston ke sath roz der raat ek banjar pade ghar mein jaya karta tha jahan vo factory ka kuch saman chura kar use chemical bana kar bazar mein becha karta tha lekin uski maa is baat ko manne ko tayar nahi thi ki uska beta chori karega uppar se usne ye bataya ki jis makan ki baat police kar rahi hai us jagah par koi hai "

" koi hai matlab ? " anshika ne shreyas ko bich mein rok sawal kia.

" matlab ki prananormal activity yani bhoot-pret ka saya hai to wo wahan kyun jayega ? " jawab dekar shreyas shant ho gaya.

" tumhe lagta hai ki uski maa sach keh rahi hai "

" juth kyun bolengi vo, beta khoya hai unhone mujhe lagta hai isme koi juth nahi bol raha na police na shehzad ki maa "

" to phir ? "

" kuch hai anshika jo mujhe lag raha hai ki mei janta hun lekin samajh nahi paa raha hun, koi to aisa connection hai jo sabke bich hai par "

" par tum bahut jada soch rahe ho shreyas, agar kuch hoga to tumhe yaad aa jayega kyun ki ek baat to saaf hai ki tumhare sapne ek itefak nahi balki ek hakikat hai aur jab sapno mein logon ki kahani hai to unme tumhe jawab bhi jarur milenge par jada sochne se nahi " baat anshika ki bilkul sahi thi, mein kuch jada hi soch raha hun, par vo har admi jo mara vo kahin na kahin mere pas aya hai to jawab mujhe hi khojne honge kyun ki, shreyas soch mein bhul gaya ki anshika uske sath phone par hai

" shreyas, shreyas "

" anshika shayad mujhe samajh aa gaya hai, mujhe vapis shehzad ke ghar jana hoga "
 
Shreyas ne shehzad ke ghar se nikalte hi anshika ko phone milaya, ring jaa rahi thi, shreyas ke mathe par tanav tha, " hello " anshika ne do baar shreyas ka naam pukara tab use mehsus hua ki phone uth chuka hai.

" anshika "

" shreyas, tum theek ho ? " shreyas ne pause le rakha tha " mujhe ghabrahat ho rahi hai bolo kya hua "

" vo ring jo shehzad ki maa ne use di thi vo kisi dargah se nahi balki vo use shehzad ke saman se hi mili thi aur jab uski maa ne use pucha to usne bas itna batya ki uske aur uske pariwar ki tarikki ke liye laya hai. "

" to uski maa ne jhuth kyu bola tha ? "

" kyun ki police ki karwhai karne ke baad sab use chor kehne lage is dar se unhone mujhse is baat ko chupaya ki kahin mein bhi use chor na maan baithun "

" par vo anguthi chori kyun karega jab use bechni nahi thi to, shreyas mujhe abhi bhi ise kuch samajh nahi aa raha "

" kyun ki baat ye jaruri hai hi nahi, mene tumhe bataya tha ki hospital mein shehzad ko uski maa ne vo anguthi pehnai thi "

" han "

" vo uske marne ke baad kisi ko nahi mili, na uski ungli mein thi na hi uske ghar walon ko mili na police ko " badal asman mein ikhate hone lage the, bizli kadak rahi thi.

" to ab ? " anshika do pal baad boli.

" is kahani ka us ring se koi na koi connection hai anshika "

" tumhe aisa kyun lagta hai ? " anshika ko lagne laga tha ki shreyas ko kuch yaad aa gaya hai.

" kyun ki jin jin logon ki mautein hui hai unka aisi hi kisi ring se koi connection tha " bizli ek bar phir jor se kadki aur buna-bandi baarish shuru ho gayi. " baarish ho rahi hai, mujhe hotel pahunchna hoga "

Ek Ring ka kisi ki maut se kya taluk ho sakta hai ? ek-do nahi balki har baar vahi log mere sapne mein aye jinke pas koi aisi hi ring thi jisne unki takleef dur ki thi ye sirf ek itefak hai ya phir uska is kahani se vakai koi rishta hai? Shreyas khidki par khada baarish ko dekhte hue soch raha tha ki uska phone bajne laga.

" hello " usne ek pal suna " tumhe kahan mila ? "

" mujhe jada yaad nahi lekin ek do baar tumhare sapnon mein hi mene naam sune the, tumhari shehzad wali khabar paper mein ayi ye soch kar mene un namo se internet par khojna shuru kiya to mujhe ek aur case mila hai shreyas, iska naam shalini tha aur ek raat ye apne "

" ghar ki chat se gir kar mari thi " shreyas ne anshika ki baat puri ki. Naam sunte hi use apna pura sapna yaad aagaya tha.

" tumhe yaad hai shreyas, agar kahani tumse judi hai to tumhe use khojne ka rasta banana padega " anshika ki samjdhari ne shreyas ko ek rasta dikha dia.

" thank you anshika, mujhe lagta hai mere pas ek rasta hai is paheli ko hal karne ka, mei ab ek-ek kar un namo ki list banata hun jinhe mene sapne mein marte dekha "

" aur phir ? "

" phir hum unke bare mein pata karenge " shreyas paper par ek-ek kar naam likhta gaya, jitne usne dekhe sab aur jab vo naam likh kar hatta to uska hairani ka thikana nahi tha.

" 343 log anshika, sab ki mautein mene dekhi hai " vo ek pal shant hua, " ab to aisa lagne laga hai ki kahin meri vajah se hi "

" nahi shreyas isme tumhari koi galti nahi, trust me tumhari kabhi koi galti nahi thi, galti to mene ki thi tumhare pyar ko na dekh kar " anshika ki ankhein nam ho gayi thi, kai salon ki baatein uske dil mein aaj tak maujud thi par kudrat ka khel aisa tha ki uski galti ki saza use is tarah mil rahi thi, na vo apne pyar ke sath reh paa raha thi na hi do pal dil ki baat kar paa rahi thi. Do pal tak phone par khamoshi hi chai rahi.

" anshika mei... " jitna anshika ke liye mushkil tha utna hi shreyas ke liye bhi, vo is pal ko kab se jina chahta tha par jese waqt use khafa tha, ankhein uski bhi nam thi.

Anshika ne ankh se chalak aye ansu ko hataya " mei bhi baat ko kahan se kahan le ayi tum vese hi pareshan ho, ab kya karna hai ? " shreyas is kahani ko khud se dur karke ab bas anshika ke sath rehna chahta tha isliye usne is baat ko us pal ke liye chhod dia jab uske pas sirf anshika hogi aur waqt bhi.

" hume sabke bare mein ek ek karke pata karenge "

" hum khojna kya chahte hain shreyas ? "

" aisa kuch jise mujhe kuch yaad aa jaye " shreyas aur anshika dono ek-ek naam ko internet ki madad se khojne lage, kuch naam katte to kuch naamon par kuch na milne par use alag rakh dia. Jitna dono dekh rahe the uski kahani aur photo hairan kar dene wali thi. Anshika jada hairan thi shreyas to jese har naye naam par us sapne ko jee raha tha. Adhi raat beet chuki thi, shreyas ne anshika ko sone bhej dia tha ab vo akele hi is kaam mein laga tha. Coffe me mug se halka dhuain nikal raha tha, usne ubasi lete hue ek aur naam pen se cut kiya aur coffe ki chuski lete hue ek pal yun hi baith gaya aur ankhein band karke unhe aram dene laga. Dimag bilkul shant nahi tha har pal vo photos dimag mein, vo kahaniyan jo abhi mili jo padhi sab. Eka-ek uski ankh khuli, usne coffe cup table par rakha aur kagaz par katta apna akhri naam dekha aur phone utha kar phir usi naam se uski kahani search ki.

" Mohmmad jo ek local gunda tha jiski 21 tarikh ki raat ko behrami se kisi ne hatya kar di, mysore police abhi tak us khuni ko khojne mein nakamayab rahi hai, ye pehla aisa case nahi jisne mysore jese chote sheher mein dehshat faila rakhi hai. Police inspector Surjeet Sharma ke mutabik vo case ki chaan-bin kar rahe hain aur kuch pata chalne par jarur sabko suchit karenge. Inspctor Sharma ne kisi bhi janwar ke hamle ko nakrte hue kaha ki afwaon par dhayan na dein aur apne aap ko surakshit rakhe. Inspector sharma ne iske aage ye bhi bataya ki mohmmad ne kuch waqt se kafi pesa kama liya tha aur ye ek vajah ho sakti hai uske khoon hone ki. Inspector sharma se aur jankari leni chahi ... " shreyas ne aage padhna band kar dia aur vo baar-baar sharma ka naam lene laga jese uske naam se dimag ko kuch pata to hai par soch nahi paa raha. Vo kuch der usi ke naam ki rath lagaye rakha aur phir eka-ek uski ankh badhi ho gayi aur phir

Anshika gehri nind mein so rahi thi achanak uska phone baja to uski nind khul gayi, phone par shreyas ka naam aa raha tha, usne turant phone uthaya " shreyas.. ek minute kya hua hai ? mysore kab .... mein aa rahi hun " usne phone rakha aur apni jagah se uth kar chali gayi.
 
Darwaje par dastak sunte hi shreyas ne darwaja khola to paya samne anshika khadi hai, dono ki ek pal ke liye nazrein apas mein takrai aur phir shreyas ne andar ane ki jagah de di. Anshika andar ayi aur shreyas ko kuch kehne ka mauka deti use pehle uske galle lag gayi. Vo duri ka ehsas pura karna bhi jaruri tha.

Dono sath lekin khamosh baithe the. " tumhe lagta hai hume vahan kuch milega ? " anshika ne khamoshi todi.

" pata nahi anshika hume mysore mein kuch milega ya nahi par kahani ka koi connection hai inspector sharma aur vo awaz na jane kyun meri kahani mein jude hai. Vo awaz pehli dafa nahi balki ise pehle bhi suni ho aisa lagta hai " shreyas bol kar chup hua. Anshika ne apna hath badha kar uske hathon par rakha. Vo uske chehre par dar ko saaf dekh paa rahi thi. " tumhe dar hai ki kahin mujhe kuch "

" nahi anshika " shreyas ne use bich mein hi rok dia aur gehri sans chodte hue uspar se nazar hata li " mujhe dar hai ki kahin mene kahani ko adhura to nahi chhod dia kahin is bar mene hi to kuch galti nahi kar di jiski wajah se kahani khatam hi nahi hui ho " anshika shreyas ka matlab samajh gayi par kuch nahi bol payi aur uske kandhe par sar rakh kar baith gayi.

" kaun ho tum ? " sharma ne pucha.

" shreyas, par sawal ye nahi ki mei kaun hun sawal ye hai ki " sharma ne shreyas ko bich mein hi rok dia.

" tumhe vo baat kese pata mujhe ye batao? kya tum wahin the "

" tha bhi aur nahi bhi "

" ajay ye kya keh raha hai tumhe samajh aa raha hai ? " sharma chid-chida hokar bola.

" sir mujhe bhi kuch samajh nahi aa raha, dekho tum hume ye batao ki tumhe in mauton ke bare mein kya pata hai ? agar humse kuch chupaya to hum tumhare khilaf karwahi kar sakte hai " ajay ki awaz mein gambhirta thi.

" mei apko wahi samjhane aya hun par uske liye apko meri puri baat sunni padegi. Mei janta hun aap logon ke liye.. " sharma ne phir bich mein rok dia.

" samjhane ya phir pakde jane ke dar se kahani banane aya hai ? "

" aap meri baat samajh nahi rahe hai " shreyas is bar thodi unchi awaz mein bola. " aap jis chiz ko khoj rahe hain vo hakikat mein hai hi nahi aur jo chiz hakikat mein nahi hoti use aap cha kar bhi samne nahi la sakte " police station mein sanata pasar gaya. Har koi maujud vahan shreyas ki baat aur janne ki ichuk mein use hi dekhne laga. Thandi hawa ka rukh chal pada tha, sham hote-hote mausam mein sardi paida ho gayi.

" tum kya jante ho hume shuru se samjhao " khamoshi ko ajay ne toda.

" samjhana to mei bhi chahta hun par aap use nahi manoge "

" kyun? " sharma abhi bhi shreyas ko shaq ki nighaon se dekh raha tha.

" kyun ki vo chiz zinda nahi hai, mene un logon ki maut apni ankhon se dekhi hai par cha kar bhi kisi ki madad nahi kar paya "

" what ? " dono ek sath bole " tum keh rahe ho tumne khoon hote dekhe hain aur khoni ko bhi ? "

" shayad apne meri baat sahi se samjhi nahi, jo log mare unko maarne wala koi nahi tha, unhone khud ko mara hai inspector sharma "

" ajay ye admi pagal bana raha hai, isko " is bar shreyas ne sharma ko rok dia.

" Arnab aur uske char dost, picnic ke liye apni gaddi se nikle the par charon ke sath arnav khud bhi gayab ho jata hai, hafta police kosish karti hai par na hi gaddi mili na vo panchon par hairani karne wali baat ki 8 ve din arnab aur uske dost apne hi ghar ki kothri mein mare pade mile aur unki gaddi usi raste par jahan akhri baar dekha gaya tha, case number 567778 " shreyas ke bolte hi ajay aur sharma dono bas use ghurte rahe. " sir mei nahi janta mei is kahani se kaise connected hun, par mera yakeen maniye mene in sab mauton ko apni ankhon se dekha hai par mujhe nahi pata kisne mara in sabko, pata hai to sirf itna ki sabka us anguthi se rishta raha hai "

" anguthi ? " sharma fauran bola.

" kya apko pata hai uske bare mein ? "

" nahi lekin mohammad ka sathi rajesh vo bata raha tha ki ek anguthi mohammad ke pas bhi thi jiski wajah se uske pas paisa aya tha "

" kahan hai vo ? "

" vo .. vo ab zinda nahi hai, uski baki sab mauton ki tarah anjan maut ho gayi " ajay ne jawab mein uski kahani batai.

" par mene aisi koi maut nahi dekhi "

" matlab ? " ajay ne pucha.

" matlab ki agar vo anguthi rajesh ke pas hoti to mei uski maut jarur dekhta " shreyas soch mein padh gaya ki agar rajesh ki maut bhi usi tarah hui to usne uski maut ko kyun nahi dekha.

" ho sakta hai rajesh ne mohammad ki anguthi churai ho isliye vo tumhe na dikhi ho " ajay ki baat shreyas ko jese sahi lagi.

" ajay tum kya iski baton mein aa rahe ho " sharma ne toka.

" sir mein to bas .. "

Shreyas ne ajay ko bich mein rokte hue kaha, " yahi hua hoga, mohammad hi wahi insan tha jiske pas vo anguthi thi aur rajesh ne use churai par ap logon ko nahi bataya isliye mujhe uski maut ka koi andesha nahi hua. Yani mei sahi tha in mauton ka taluk us anguthi se hi hai "

" sir hume bhi lag raha tha is murder mein koi ring ka chakar hai aur shreyas ki kahani se to lag raha hai ki " ajay ne puri baat khatam nahi ki aur chup ho gaya. Sharma soch mein padh gaya uske pas vese bhi koi sabut nahi tha par uske liye ye manna bhi mushkil tha ki aisa kuch ho sakta hai.

" tum ring ke bare mein kya jante ho ? " sharma ka lehza pehle se shant tha.

" wahi pata karne aya aur shayad apki madad se mei kuch dhund paun " shreyas ne sharma ki taraf ishara kia.

" mei kesi madad kar sakta hu ? " sharma turant bola.

" sir vo awaz jiski madad se mein apko khoj paya, yaad hai apko vo awaz jisne apse kaha tha, insan ab insan nahi raha, Kudrat ab hum insano se bahut dur ja chuki hai usi tarah jis tarah humse hamari ruh " shreyas ne jab baat repeat ki to sharma jaise us din mein kho gaya jab usne ye baat sun kar ansuni kar di thi.

" yaad hai, par " sharma ke muh se sun ajay chaunk gaya.

" par kya ? kaun thi vo jisne apko ye baat kahi thi " shreyas ko ek umid jaggi.

" nahi janta " umid sharma ki baat se tut gayi " mene use nahi dekha, kaun thi kahan si kahan gayi nahi pata par han tumne jo kaha vo mene suna jarur tha lekin vo kaun thi uske bare mein mujhe kuch nahi pata, par tumhe us aurat ke bare mein kyun janna hai ? kya rishta hai uska in sab se aur anguthi ke is khel se ? " sharma ka sawal bilkul sahi tha, shreyas to khud yakeen se nahi keh sakta tha ki koi rishta hai dono ke bich.

" mei batati hun ki hum kyun use dhund rahe hain " awaz anshika ki thi jo shreyas ke sath aa khadi hui thi " iske liye apko hamari kahani sunni padegi " usne shreyas ki taraf dekhte hue inspector sharma ki taraf nazar modh li.
 
Back
Top