Chandani raat mein chand apne poore shabaab par tha.har jagah chandarma apni khubsurati bikhere hua tha. raat ke kareeb 1 baj rahe they. sadkein puri tarah se veeran thi. bus beech beech mein siyar aur kutton ki bhowkney ki awazein is ghanghor sannate ko cheer rahi thi. sab log apni apni gharon mein so rahe they.
thodi deeer mein ek shaksh road par aata dikhayi diya. uski ek haath mein sharab ki bottle aur chal mein ladkhadhat is baat ka pramad tha ki wo shaksh is waqt pure nashey mein hai. thodi door chalney ke baad wo wahi road par dhaam se gir pada aur uske haathon mein sharab ki bottle door ja giri. wo fir uthney ki koshish karta aur fir dham se gir padta.
waha baitha ek fakir bahut deer se us shasksh ki sari gatividhiyon ko bade gaur se dekh raha tha. jab uske nahi raha gaya to wo uthkar us shaksh ke paas aaya aur dheere se uske kandhey par apna haath rakhkar uski aankhon mein dekhney laga. jab fakir ki nazar us shakhsh par padi to wo ek gehre vichar mein kho gaya aur lagbhag kuch deer tak aise hi khoya raha.
fir wo fakir use apne kandhon ka sahara dete hue wahi footpath ke kinare use baitha diya aur wahi rakha pani ka ek bottle use thamate hue bola.
fakir- beta ye lo pani pi lo shayad issey tumhein kuch raahat mil jaye.
wo shakhsh bade gaur se us fakir ko dekhne laga aur uske haath se pani ki bottle ko apne haathon mein lekar kuch cheetay apne chehre par maarney laga. thodi deer ke baad use kuch rahat mehsoos hui. ye sahksh aur koi nahin balki ek mashoor gangster aslam khan tha. jo is sehar ka sabse bada BHAI tha. uska naam sunker hi aachey aachey logon ki haalat kharab ho jati thi.
roz roz ka gundagardi, hafta wasooli aur maar peet yehi iska kaam tha. iska is sehar mein itna khauff tha ki koi issey galti se bhi ulajhna nahin chahta tha. jail to iske liye koi nahin baat nahin thi. har hafte ek baar to wahan ki sair kar hi liya karta tha.
umer kareeb 32 saal aur chehre par halki dadhi aur shareer kafi haata kaata tha. wo akela hi do teen aadmi ko aasanai se nipta sakta tha.
aslam- baba shukriya aapka. aab main chalta hoon. itna kehkar wo fir utha aur dham se fir wahi par gir pada.
fakir- thodi der aaraam kar lo beta. kuch nasha kum ho jaye to apne ghar chale jana. waise tum itnai raat ko is haalat mein yahan kya kar rahe ho.
aslam- jante ho baba ki tum kisse ye sawal pooch rahe ho. lagta hain ki tumhein nahin maloom ki main kaun hoon.
fakir thoda muskurate hua- main janta hoon. tumhara naam aslam khan hain aur tum yahan ke BHAI (gunda) ho. aur yahan par har jagah logon ke dilon mein tumhara khauff hain.
aslam- ye jante hue bhi tumne mujhe sahara diya. yahan par sab log to mujhe manate hain ki main is duniya se chala jawon. kya aapko marney se durr nahin lagta.
fakir- beta marna jeena to us upar wale ke haath mein hain. hum to bus uske banaye mohrey hain.aise anmol zindagi ko yu na barbaad karo.insaan ka jiwan buhat naseeb se milta hain.
aslam- mujhe ye sab baatein samajh nahin aati baba. main to bus janta hoon ki main is dharti par bojh hoon. aaj agar main murr bhi gaya to mere peechay koi nahin hain mere liye aansoon bahane wala. koi bhi nahin hain mera apna. kisi ko koi fark nahin padta main jiyon chahe maru.
fakir- aisa nahin kehte beta. ye zindagi anmol hain.
aslam- aaj pehli baar kisi ne mujhe beta kaha hain. nahin to sab mujhe harami aur gandi naali ka keeda kehkar bulate hain aur itna kehte kehte aslam ki aankhon mein aansoon aa jate hain..............
fakir- beta dil chota mat karo. upar wale par bharosa rakho. wo sab theek kar dega. uskey ghar mein deer hain andher nahin.
aslam apne aansoon pochta hain aur thodi deer aaram karne ke baad wo apne ghar ki ore chal padta hain. thodi deer mein wo ghar pahunch jata hain aur jakar apne ghar ke darwaje par dastak deta hain. uske abbu darwaza kolte hain. unka naam sulemaan khan tha aur wo is sehar ke bahut bade bussinessman they. aur aacha khasa rutba wale insaan they.
sulemaan- to aap aa gaye. sulemaan aslam ki ore gusse se dekhta hua bola. is kamine ne to naak mein dum kar rakha hain. na to humein chain se jeenay deta hain na hi marney deta hain. tere jaise aulaad se to be-aulaad hona thik hain.
aslam ghoor kar apne pitaji ko dekhta hain magar chup chaap wo apne kamrey mein chala jata hain. aur jakar wahi bed pae so jata hain.
sulemaan- dekh lena jitna is sehar mein mera rutba aur shaan-o-shaukhat hain sab ye kamina ek din mitti mein mila dega. main to is ladkey se ekdum thrust ho chuka hoon. samajh mein nahin aata ki iska aage kya hoga.
sulemaan ki biwi rukshana apne pati ke kandhey par haath rakhkar dilasa deti hain- khuda ne chaha to ek din sab kuch theek ho jayega.
sulemaan umra kareeb 55 saal chehre par ghani dadhi aur sir par nawabon wali topi.yehi inki pehchaan thi. aur pehnawa bhi salwaar suit tha. aur rukshana bhi kareeb 50 saal ki thi. aslam ka ek aur bhai tha naam tha salim. wo kareeb 27 saal ka naujwaan tha. aur apni padai isi sehar mein apne abba aur ammi ke paas rehkaar padta tha. aur apne aabbu ka haath bhi batata tha.
subah ke kareeb 8 baje jab aslam ki neend khulti hain to wo fresh hota hain aur fir roz ki tarah ghar se bahar nikal jata hain. aslma roz ki tarah cigretee sharab paan gutka sab nasha karta tha aur baat baat par kisi par bhi haath utha deta tha.
aisi hi wo apne doston ka intezaar kar raha tha ki ek gunda (bhiku) ke kuch aadmi aslam ko akela dekh lete hain aur wo turant apne boss yani ki bhiku ko bula lete hain. jab aslam ki nazar uspar padti hain to wo bhi bhikhu aur uskey aadmiyon ka samna karney ke liye taiyaar ho jata hain. magar wo 7 they aur aslam akela. bhala wo kab tak unlogon se akela mukabla karta. bhiku uskey peechay jata hain aur wahi rakha lakdi ka tukda uske sir par mar deta hain. aslam wahi farsh par gir jata hain. uske sir se khoon beney lagta hain aur thodi deer mein wo wahin behosh ho jata hain.
bhiku apne aadmiyon ke saath wahan se nikal jata hain. wahan par kaafi bheed jama ho jati hain magar koi bhi aage nahin aata. aur bhala koi aata bhi kaise aslam naam ka ye gunda se kisi ko koi dilchaspi nahin thi. aur yahan par sab log iskey khilaaf bhi to they. magar ek insaan wahan par aslam ka maseeha bankar aaya aur apni car mein bithakar usey nazdeek ke hospital mein lejakar usey admit karwa deta hain.
doctor- dekho mr. ye police case hain. hum isey bina police verification ke nahin rakh saktey.aap ya to is paper par police se likhwa laiye ya fir police ko yahan par bula lijiye. sanjay jhat se police thane jata hain aur kuch paise dekar ek police wale ko apne saath bula lata hain. thodi deer ke baad aslam ka ilaaz shuru ho jata hain. sir se kaafi khoon beh jane ki wajah se aslam kaafi deer tak yu hi bister par behosh rehta hain.
jo shakhsh aslam ko lekar aaya tha uska naam sanjay tha. aur wo yehi paas mein ek government employee tha. shayad wo aslam ko nahin janta tha magar sanjay ke ander insaniyaat koot koot kar bhari hui thi. thodi deer ke baad aslam ko hosh aata hain aur sanjay uske paas baitha milta hain.
sanjay- main apne office ja raha tha to bheed dekha. wahan par tum farsh par gire hue they aur tumhare sir se khoon beh raha tha. so main tumhein yahan par le aaya.
aslam- kyon bachaya mujhe. murr jane diya hota to aacha tha.
sanjay ko kuch samajh nahin aata aur wo hairat se aslam ko dekhney lagta hain.............................................
Sanjay- is waqt tumhein aaram ki sakht jaruraat hain. agar tum kaho to main tumhare ghar tak chodh deta hoon.
aslam- nahi ......... main theek hoon. tumne apna naam nahin bataya. kaun ho tum???
sanjay- mera naam sanjay chauhan hain. main yahi paas mein government employee hoon. bus apne office ke liye nikal raha tha to tumko road par khoon se lathpath dekha to seedha tumko yahan le aaya.
aslam- sukriya. kabhi mauka milega to main aapke ehsaan ka badla jaroor chukaunga.
sanjay bhi apne office ke liye nikal padta hain. shaam ko jab wo ghar aata hai to wo seedha aslam ke paas hospital mein ussey milne jata hain magar aslam dopahar mein hi hospital se jaa chuka tha. recieption mein jakar poochta hain to pata chalta hain ki wo apni marzi se yahan se gaya hain.
sanjay- ajeeb aadmi hain par lagta hain halat se kuch pareshaan hain. wo bhi jyada nahin sochta aur seedha apne ghar chala jata hain.
kareeb 9 baje wo ghar pahunchta hain. ghar par uske papa ,mummy,biwi aur uski ek behan thi. papa uske bank manager they aur aab wo retired they. aur unka naam shivdayal tha. wo bahut hi sajjan aur shariif insaan they. shivdayal ka umra lagbhag 65 saal ke aas paas tha. aur sanjay ki maa sushma devi wo bhi kareeb 58 saal ki thi. sanay ki wife pooja wo bhi kareeb 27 saal ki thi magar wo is waqt apne mayake gayi hui thi. wo bhi behad khoobsurat thi aur is parivaar ke hisaab se uske ander saare goon they.
sanjay ki ek ladli behan thi jisse wo behad pyaar karta tha. thodi chulbuli thodi natkhat aur hamesha apne bhaiya se jhagrana uska roz ka dincharya tha. naam tha divya. umra kareeb 20 saal aur aabhi aabhi intermediate paas karke B.sc mein admission liya tha. waise divya padney mein kafi tezz thi aur dikhney mein bhi behad khubsoorat thi. uske peechay ladkon ki line lagi rehti thi. magar divya ko in sab se koi matlab nahi tha.
sanjay jaise hi ghar aata hain uski mummy darwaja kholti hain.
sushma-beta aaj itna late kaise ho gaya. sab theek to hain naa. tu to roz 7 baje tak aa jata hain. na koi phone aur na koi message.
sanjay- sab thik hain mummy. bus subeh ek hadsaa ho gaya tha. fir wo subeh wala kissa apne mummy papa ko bata deta hain.
sushma- tu kyon in sab lafdon mein padta hain. kahin tujhe kuch ho jata to.
sanjay- mummy aap bhi kaisi baatein karti ho. insaaniyat bhi koi cheez hoti hai. itna kehkar sanjay bathroom mein chala jata hain. fir fresh hokar wo dining table par aata hain aur khana kahne baith jata hain.
sanjay- mummy bittu (divya) kahan hain. dikhay nahin de rahi.
sushma- wo apne kamre mein so rahi hain. aaj college se aayi to keh rahi thi ki sir mein dard hain.
sanjay bhi khana khatam karta hain aur turant bittu ke kamre mein chala jata hain- sanjay ko aata dekh divya jhat se aapni aankhein band kar leti hain. magar sanjay ki paini nazar usko dekh leti hain.
sanjay- aacha to mujhe dekhkar apni aankhein band kar rahi ho. lagta hain bahut gehri neend mein ho. aabhi maza chakhata hoon.
sanajy ke baar baar awaaz dene par bhi bittu apni aankhein nahin kholti aur waise hi bister par padi rehti hain.
sanjay- theek hain mut uth. mujhe kya??? socha tha ki cadbury dono saath mein milkar khayege chalo aacha hua aab main aaram se isey pura kahwonga. itna sunte hi bittu jhat se apni aankhein khol leti hain aur sanjay muskura deta hain.
bittu- kahan hain meri cadbury. lao mujhe do. main bhi dekhti hoon ki aap kaise akele khate ho.
sanajy- ohhooo to mere samney nakhre kar rahi thi. aabhi batata hoon aur sanjay turant bittu ke kaan ko pakad kar aith deta hain. bittu zor se chilla deti hain.
bittu- sharam kaaro bhaiya apni ek lauti behan ko marte ho. jao tumhein narak mein bhi jagah nahin milegi.
sanjay- kyon swarg to hain na. main wahan jawonga.
bittu- swarg mein bus ek seat bachi hain aur wo mere liye reserved hain. aapko narak mubarak ho.
sanjay- aacha bata kaisa chal raha hai padai. dekhta hoon har waqt soti rehti hain. jab shadi ho jayegi tab wahan jakar kar sona. sab aish karna bhool jayegi.
bittu- mujhe nahin karni shadi waadi. ye to bewakoofon ka kaam hain.
sanjay- yani ki main bewakoof hoon. ruk tujhe aabhi maza chakhata hoon.
aisi hi roz roz dono bhai behan mein meethi meethi takraar hoti rehti thi. samay apni raftaar se chal raha tha. ..............................................
Udher aslam bhi raat mein apne ghar pahunchta hain aur uske abbu darwaja kholte hain. uske sir par patti bandha dekhkar sulemaan ka gussa ubal padta hain.
sulemaan- kahan se aa raha hain aur tere sir par ye paati kaisa bandhi hain. kahin aaj fir kisi se jhaghra karke to nahi aaya. aslam kuch bolta nahin aur chup chaap apne kamre mein chala jata hain.
sulemaan- is ladkey se to main pareshaan ho gaya hoon. samajh mein nahin aata ye aakhir chahta kya hain. apne dost se request karke isko bade mushkil se wahan par kaam lagwaya to ye janab sab choodh chaad kar aa gaye. gundagardi se isko fursat mile tab to kuch karega.
Rukhsana- kyon aap bhi har waqt aslam ko dante rehte ho. usko pyaar se samjhao ho sakta hain wo ye sab chodh de.
sulemaan- kutte ka dum seedha ho sakta hain magar ye kamina sudher jaye ye nahin ho sakta. janti ho kal kya hua jab main market mein gaya to kuch paise kum pad gaye they. to dukandaar ne mujhe udhari dene se mana kar diya. main usko bola bhi ki aabhi thode deer mein tumhare paise bhejwa dunga. lekin wo nahin mana. tabhi wahi ek aadmi ne us dukaandaar se kaha ki ye aslam ka baap hain. fir kya tha paise to door usney saara saaman chup chaap mere jhole mein rakh diya aur paise bhi lene se inkaar kar diya. iska is sehar mein itna dahsaat hain ki log iska naam se bhi kaanpte hain. aur tum kehti ho ki issey pyaar se samjhaun. arey pyaar iske ander hoga tab to ye samjhega.
rukhsana- haan baat to aapki sahi hain magar koi to rasta nikalna padega. maine socha tha ki agar aslam ka nikaah ho jata to ye apni jimmedari ka isko kuch ehsaas hota. magar aab tak to koi bhi rishta nahi aa raha.
sulemaan- arey koi bhi baap apni beti ki zindagi abaad karne ki hi sochega. koi bhala is gunde ko apni beti kyon dega. agar aise hi chalta raha to asalm is ghar mein nahin reh sakta. ye mera aakhri faisla hain.
-------------------------------------------------
subeh jab bittu soyi rehti hai to uske bhaiya apni pyari behan ke liye bed tea lekar aata hain.
sanjay- bittu uth na. har waqt soti rehti hain. aur sanjay dheere se bittu ke kaan ke paas jakar ekdum zor se chilla deta hain. bittu ghabra kar uthkar baith jati hain.
sanjay- kyon dara diya na.
bittu- bhaiya ye kya tarika hain uthane ka. aapne to mujhe dara hi diya. jao main aapse aab baat nahin karungi.
sanjay-pyaar se uthane par to tu uthathi nahi to yehi tarika apnana padega na tujhe uthane ke liye. soch le mujhse kaati tujhe mehangi padegi. chal apna mooh haath dho le aur fatafat chai pi le.
bittu muskura kar jhat se sanjay ke gale lag jati hain. - aapko mera kitna khyaal rehta hain. aise hi zindagi bhar humesha mera khyaal rakhoge na.
sanjay- nahin nahin main to jab tak teri shadi nahi hoti tab tak hi tera khyaal rakhunga. uske baad to tera pati ka farz banta hain na . wo tera khyaal rakhega.
bittu- bhaiya aap sach mein bahut gande ho aur bittu sharmakar bathroom mein chali jati hain. thode deer ke baad sanjay bhi office ke liye nikal jata hain. aur bittu jakar apne mummy ko peechay se uske kandhey par apne dono haath rakh deti hain.
sushma- kya baat hain beti aaj tujhe apni mummy par bahut pyaar aa raha hain. janti hoon aaj fir teri koi nayi demand hogi. hain na.
bittu- aap to meri duniya ki best mummy ho. aapne kaise jana ki mujhe kuch chahiye.
sushma- tu meri aulaad hain. teri nas nas se wakiif hoon. bata aaj kya farmaish hain.
bittu- wo mummy mujhe kapdey kharidney hain. kum se kum teen jodi.
sushma- teen jodi bus..... aabhi pechaly mahine hi to tumne 4 set kapdey kharidey they. wo kya itna jaldi purana ho gaye. ja mera paas nahin hain paise. tu jakar apne papa se maang le.
bittu- mummy bus ye demand puri kar do na please. aur waise bhi wo old model tha. jamane ke saath saath badalna chahiye mummy. dekha aap to kitne saalon se sadi pehanti aa rahi ho. kabhi kabhi western kapdey bhi pehan liya karo.
sushma- main tere jaise jeans t-shirt to nahin pehan sakti na. aur ye humari bharat ki sanskriti hain. sadi pehaney se to aurat ka asli roop chalakta hain. par tujhe kaun samjhaye. tu to naye jamane ki ladki hain. theek hain ye aakhri baar hain main fir nahin kharidungi. aur sushma divya ko apne purse se paise thama deti hain.
bittu apne maa ke gale lag jati hain- you are the best mummy in the world aur ek pyara sa kiss apni mummy ko dekar wo college ke liye nikal jati hain. sushma bhi pyaar se muskura deti hain.
waqt beetata jata hain aslam bhi aab theek ho gaya tha aur wo apni aadat ke anusaar uski gundagardi pehle jaise barkaraar thi. udher uske abba roz ki tarah usey tana dete magar aslam ko koi fark nahin padta. aise hi ek mahina beet gaya ek din aslam apne teen char doston ke saath baitha hua tha tabhi usey bhiku dikhayi deta hain fir kya tha wo bhi apni dushmani ka badla lene pahuch jata hain.
aslam ke aadmi bhiku ko charo taraf se gher lete hain magar aslam mana kar deta hain ki koi ispar apna haath nahin uthayega. fir wo apna gussa bhiku par nikalne lagta hain. jo bhi uske haath mein aata hain wo ussey bhiku ko peetnay lagta hain. aur tab tak marta hain jab tak bhiku admara nahin ho jata. fir wo apne dost ke haath se chaku cheen leta hain aur bhiku ki taraf badhta hain. uska dost kabir mana karta hain..
kabir- nahi aslam ruk jaa. aisa mat kar. usey jaan se mat marna nahin to lafda ho jayega. magar aslam kahan maane wala tha uske sir par to khoon sawar tha wo ek jhatkey mei chaku nikal kar bhiku ke pet mein ghop deta hain aur bhiku ki dard bhari karaah nikal jati hain. aslam ki ye vaardaat karte kisi ki nazar uspar padh jati hain aur jab tak aslam ki nazar us shakhsh par padta hain wo uske nazroein se door ho chuka hota tha......................................
Aslam ko ye wardaat karte hue divya ne apni aankhon se dekh liya tha. wo tution padhkar apne ghar ja rahi thi. wo jaise hi dekhti hain fauran wahan se bhag khadi hoti hain.
kabir- aslam ye tune theek nahin kiya. agar ye sala mur gaya to bewajah panga ho jayega. aur to aur us laundiya ne bhi humein dekh liya hain. agar wo police mein jakar bak degi to ....................
aslam- tu kyon itna sochta hain. us ladki ki itani himmat nahin hain ki wo aslam se panga legi. yahan aslam ka khauff chalta hain. chal aab yahan se nikalte hain. aur aslam aur uske saathi wahan se nikal jate hain.
udher divya ke chehre par durr saaf dikhayi de raha tha. aaj zindagi mein pehli baar wo aisa nazara dekhi thi. jaise taise wo ghar pahunchti hain aur jakar apne mummy se lipat jati hain. uske chehre par pasiney saaf chalak rahe they..
sushma- kya hua bittu. tu itana ghabarayi hui kyon hain. sab theek to hain na.
divya- mummy wo main tution se ghar aa rahi thi to raaste mein teen char log ek aadmi ko badi berahami se mar rahe they. aur to ek aadmi ne mere aankhon ke samne uske pet mein chaku mar diya. mujhe bahut durr lag raha hain.
sushma- ghabraa mut beta. sab theek ho jayega. tu ye baat kisi ko mutt batana. khwamokhwaah agar ye baat police ko pata lag gayi to wo tujhse gawahi ke taur par apne thane bulangey. aur wo main nahin chahti ki aisi koi baat ho. chinta mut kar sab theek ho jayega.
shaam ko sanjay aata hain aur divya usko saari baat batati hain.
sanjay- mere khyaal se divya tujhe police station chal kar police ko bayan de deni chahiye. isse police ko bhi help mil jayegi aur is sehar mein gundon ka bhi aatank kuch kum ho jayega.
sushma- ye kya tum paglon jaisi baatein kar rahe ho sanjay. hum seedhay saadhe log hain. aur hum koi bhi aisi waisi musibaat mein ulajhana nahi chahte. main to kahungi ki ye baat ko yahin par khatam kar do to aacha hain.
sanjay- socho maa jiske sir par aisi musibaat beetati hain uska kya haal hota hoga. agar har koi aisa sochney lage to koi bhi kisi ke liye kuch nahin karega. fir insaan mein aur janwar mein kya fark reh jayega.
divya- aap sahi kehte ho bhaiya. main gawahi dungi un gundo ke khilaaf. agar hum aisa haath par haath rakhkar baithenge to un gundon ka hausla aur bhi mazboot hoga. aab chahe kuch bhi ho jaye main police ko gawahi jaroor dungi.
sushma ke laakh samjhne par bhi divya aur sanjay uski baat ko nahin mante aur uske papa bhi sanjay aur divya ke hi paksh mein jate hain. fir shivdayal , sanjay aur divya police station ke liye nikal padtey hain. thodi deer ke baad wo teenon police station pahunch jate hain.
police station mein.............
divya jo bhi vardaat apni aankhon se dekhi rehti hai wo pura baat police ko batati hain. aur divya jaise jaise uska huliya batati hain police bhi sketch taiyaar karwati hain. police bhi divya ke himmat ki tariff karte hain aur aashwasaan deta hain ki wo in badmashon ko jald se jald giraftaar kar lenge.
fir wo teenon ghar aa jate hain aur divya aakar khana khati hain aur jakar so jati hain. bister par usko baar baar wahi darawna khwaab yaad aata hain.
aise hi teen char din beet jate hain. bhiku bach to jata hain magar sir par gehra chot lagne ki wajah se wo koma mein chala jata hain. aab bhiku se police ko koi madad milne ki sambhavna khatam ho jati hain. 5 din baad divya ke ghar par phone aata hain. phone police station se tha. unhone sketch taiyaar karwa liya tha. bus divya ko pehchaan karne ke liye police station bulaya tha. sanjay to is waqt office mein tha. is liye uske papa divya ko lekar police station chale jate hain.
wahan par artist ki madad se 5,6 sketches taiyaar ki hui thi. police inspector wo sketch divya ke samne rakh deta hain. divya ek ek kar wo sketches ko dekhne lagti hain aur ek sketch par jab uski nazar padti hain to wo apne haathon ki ungali se us sketch ki ore ishara karti hain..................................
Divya ne jish sketch ki ore apni ungali se ishara kiya tha wo sketch aslam ka tha. magar aslam ko na hi divya janti thi aur na hi shivdayal. haan aslam ko agar pehchanta tha to wo tha sanjay. par sanjay is waqt yahan par maujood nahin tha. fir divya police sation se wapas ghar aa jati hain. police bhi thodi active ho jati hain aur do din ke ander asalm aur uske do saathi police ki giraft mein hote hain.
aslam ke liye ye koi nayi baat nahin thi. wo aksar jail mein aata jata rehta tha. magar is baar uske upar Attemp to murder ka chargesheet file hua tha. itna to pakka tha ki aslam ko ya to jurmana aur saath saath lambi saza bhi hona tay tha. jab sulemaan ko ye baat pata lagti hain ki aslam jail mein hain to uska gussa aur bhadak jata hain.
sulemaan- is baar chahe jo ho main uski jamant nahin karwaunga. rehne do is baar usey jail mein. wahin kuch din rahega to uski akal thikane aayegi. janti ho is baar uske upar attemp to murder ka case fire hua hain. yani wo banda agar murr gaya to isko 14 saal jail ya to fansi ki saza. din ba din iska crime bhi badtey jaaa raha hain. mujhe maaf kar do rukshana main aslam ke liye kuch nahin kar sakta. aisa aulaad se be-aulaad hona thik hain.
rukhshana- ye aap kaisi baatein kar rahe hain. bhala koi baap is tarah se apne aulad ke liye bolta hain kya. aapko uspar bilkul bhi daya nahin aati. bus is baar usey jail se riha karwa dijiye main khud ussey baat karungi. agar nahin mana to fir aap jaisa chahenge waisa hoga.
sulemaan- theek hain rukshana agar tum itna zidd karti ho to main vakil se baat karke usey jail se riha karwa deta hoon. magar aage agar dubara wahi hua to fir soch lena mere se bura koi nahin hoga. aur sulemaan gusse se ghar se bahar nikal jata hain.
rukhshana bhi janti thi ki aslam ko wo kitna bhi samjhayegi wo uski baat nahin manne wala. magar rukshan bhi apne mumta ke aage vivash thi. usey vishwaas tha ki deer saber wo sudher jayega. magar kab ye wo nahin janti thi.
police station mein sulemaan apne vakil ke saath jata hain aur vakil do teen aisi jhooti daleelein pesh karta hain aur sulemaan bhi kuch paise ka zor deta hain. baat nahi se hote hote 5 lakh par ruk jati hain aur wahan ka police aslam ko riha karne ki izajat de deta hain.
sulemaan to aslam par pehle se hi baukhlaya hua tha. magar wo badi mushkil se apna gusse ko kabu mein karta hain. aur seedha aslam ko lekar ghar aa jata hain.
sulemaan- aaj to teri jamanat maine de di. lekin aage se yaad rakhna agar fir se koi aisa lafda hua to tu mujhse kabhi bhi umeed mut karna. aur haan kal se tu ghar se bahar nahi jayega. agar kuch kaam ho tabhi nikelega. aur agar tune apna sangat nahin choda to mujhse bura koi nahin hoga. sulemaan garazte hue bola.
aslam bhi chup chap sun kar apne kamre mein chala jata hain aur thodi deer ke baad uski ammi bhi uske kamre mein jati hain.
rukshana- aslam beta apne abba ke baat ka bura mutt manana. wo to aise hi bus bolte hain magar unka dil bahut najuk hain.
aslam- nahi ammi. aaba sahi keh rahe hain. main aab tum sab par bojh ban gaya hoon. mere khyaal se aab mujhe aap log ke beech nahin rehna chahiye. meri wajah se abba ka naam bhi kharab ho raha hain aur aap sab bhi meri wajah se pareshan ho rahe ho.
rukshana- ye tu kaisi baatein kar raha hain aslam. bahal koi aulaad apne maa baap par bojh hota hain kya. bus main to yehi kahungi ki tu bura sangat chodh de aur apne abba ke kaam mein haath bata. dekh to salim bhi apna padai karta hain aur apne abba ke kaam mein haath bhi batata hain.
aslam kuch deer tak gehri vichaar mein doob jata hain - ammi mujhe is waqt akela chodh do. main aabhi akela rehna chahta hoon. rukhsna bhi chup chaap apne kamre se bahar nikal jati hai.
aise hi kareeb 1 mahina beet jata hain aur aslam ke nader bhi kaafi badlaav aa jata hain. uski gundagardi kafi hudd tak kum ho gayi thi. wo aab bahut kum ghar se bahar nikalta. tabhi ek din uske dost kabir ka phone aata hain aur wo batata hain ki us ladki ka pata chal gaya hain jisne uske khilaaf gawahi di thi. uska naam divya hain aur wo yehin paas ke muhalle mein rehti hain.
aslam- us ladki ke bare mein mujhe puri information chahiye kahan jati hain kissey milti hain aur uski pasand na pasand sab kuch. jitni jaldi ho sake tu mujhe uske baare mein saari information bata de. usey bhi to pata chalna chahiye ki aslam se dushani ka kya anjaam hota hain. fir batunga us sali ko ki aslam kis khauff ka naam hain...................................
aise hi din gujar rahe they. divya bhi apni padai mein aur apne aap mein hi mast rehti thi. divya bhi us hadse ko lagbhag bhool chuki thi. magar aslam kahan bhulney wala tha.
Us haadsey ke kareeb do mahine baad.............
divya roz ki tarah akeley apne tution ja rahi thi aur wo apne hi khyalon mein khoyi hui thi tabhi uske peechay se ek scorpio wahan par tezi se aakar ruki. divya issey pehle ki kuch samajh pati teen badmash scorpio mein se utarey aur divya ko zabardasti uthakar scorpio mein dal diye. unmein se ek badmash uske mooh par paati band deta hain aur dusara uske aankhon par. aur fir uskey dono haath peechay karke ek rassi se band dete hain. aur fir scorpio wahan se tezi se nikal jati hain.
divya ki to durr ki wajah se halat kharab ho rahi thi. usey to kuch samajh mein nahi aa raha tha ki kaun hain ye log aur usey zabardasti uttha kar khana le jaa rahe hain. thodi door ke baad wo gadi ek sunsaan factory ke paas rukati hain. us factory ko dekhne se aisa lag raha tha ki wo kai salon se bund hain. fir teeno divya ko factory ke ander le jate hain aur ek kamre mein lejakar darwaza band kar dete hain.
kareeb 1/2 ghante tak divya isi udherbun mein rehti hain ki ye log kaun hain aur aise utha kar mujhe laney ki kya wajah hain. kahin mere saath kuch galat to nahin karenge. pata nahin kaun hain ye sab kya chahte hain. divya ke chehre par pasiney aur khauff saaf chalak raha tha. tabhi darwaza khulta hain aur ek shaksh ander aata hain. wo shaksh aur koi nahin balki aslam tha.
aslam ander aakar darwaza aache se band karta hain fir divya ke paas jakar uske aankhon par chadi paati hata deta hain aur mooh se kapda bhi nikal deta hain. jab divya ki nazar aslam par padti hain to wo us tasveer ke jariye aslam ko pehchaan leti hain. aur jaan jati hain ki ye sab aslam ka kiya dhara hain.
divya- asla..........mm .......
aslam-sahi pehchana aslam naam hain mera. ....................aslam khan.
divya- tum kya chahta ho. aur is tarah se mujhe yahan par kyon laye ho.
aslam divya ke nazdeek jata hain aur kaskar ek zordaar thappad divya ke gaal par jad deta hain. divya ke honthon se khoon nikal jata hain.
aslam- tune kya samjha tha ki aslam se dushmani lekar tu bach jayegi. is sehar mein mera khauff chalta hain. aaj tujhe main batunga ki khauff kisey kehte hain.
divya- mujhe.......jane do. dekho ye theek nahin hain. please main tumhare aage haath jodti hoon ...leave me.............
aslam- chodh dunga magar teri izzat utarney ke baad. itani bhi kya jaldi hain.
aslam ke mooh se aisi baat sunkar divya ke aankhon se aansoon nikal jate hain--- please aisa mut karo meri zindagi tabaah ho jayegi. main kisi ko mooh dikhane layak nahin rahungi. please main tumhare haath jodti hoon.
asalm- tujhe bhi to pata chale ki aslam se dushmani lene ka kya anjaam hota hain aur agle hi pal wo divya ke nazdeek jakar uska top ek jhatkey mein kheench deta hain. divya ka top side se fatata chala jata hain aur ander uska badan aslam ke aankhon ke samne dikhayi deta hai. is waqt bhi divya ke haath bandhey hue the wo chah kar bhi aslam ko rok nahin pati aur cheekney lagti hain.
aslam- chilla le jitna chillana hain. koi nahin aayega tujhe yahan bachane. ye koi filmi duniya nahin hain ki kahin se heroine ko bachane koi hero tapak padega. aur koi galti se yahan aa bhi gaya to wo apne char kadmon mein wapas jayega.
divya- please main tumhare pawn padti hoon meri zindagi aise mut barbaad karo. tum jo kahoge main wo karungi. main police mein jakar apna bayan wapas le lungi.
aslam- jo mere baap ka paisa laga aur jo main ek din jail mein bitaya uska kya. lauta sakti hain mujhe wo din. teri wajah se mere baap ne na jane mujhe kya kya tana diya. bol tu hi bata main tujhe kaise maaf kar doon. gaur se dekh in chehron ko aaj ke baad tu in chehron ko kabhi nahin bhool payegi. na din mein aur na hi raat mein.
aslam aage badhta hain aur divya ka jeans ka button khol deta hain aur dheere dheere ek ek karke uske saare kapdey utar deta hain. fir apne bhi kapdey utarna shuru karta hain. is waqt divya ke aankhon mein dard bhare aansoon they. aaj tak wo kisi bhi mard ke samney aisi awastha mein kabhi nahi aayi thi. uska to jee kar raha tha ki wo kahin jakar doob mare. fir aslam uska haath khol deta hain aur divya ko wahin farsh par sulakar divya ke jism ko noochna shuru kar deta hain. kamre mein bus diivya ki dard bahri cheekhnein sunayi de rahi thi. wo laakh koshish karti hain apne aap ko asalm se chudane ki magar asalm ke mazboot shareer ke aage wo apne aap ko bebas mehsoos karti hain. kareeb 1 ghante tak aslam divya ke jism ko nochta hain aur tab tak nochta hain jab tak divya ki aatma aur uska shareer ghayal nahin ho jata. farsh par divya ka shareer nangi awastha mein pada hua tha aur uske badan ke kai hisson se khoon bhi nikal raha tha.
aslam uthkar apne kapdey pehan leta hain.
aslam- jaa aab duniya walon ko cheekh cheekh kar bata dena ki maine tera balatkaar kiya hain. jo karna ho kar lena main bhi dekhta hoon ki tu kya kar sakti hain. fir aslam wahan se bahar nikal jata hai.
is waqt divya ke jism par ek bhi kapdey nahin they. wo usi awastha mein wahi padi hui thi. aaj aslam ne na kewal uski izzat looti thi balki aaj uski aatma ko bhi chalni kar diya tha. divya ke dil dimag mein bus ek baat aa rahi thi ki wo ye sab dekhne se pehle murr kyon nahin gayi. uski aankhon mein is waqt aansoon they aur wo wahi bahut deer tak aisi hi roti rehti hain. kahan wo humesha hanse wali aur aaj asalam ne divya ki zindagi ko pal pal marne ke liye chodh diya tha..........................................
divya fir uthati hain aur wahi uskey fatey hue kapdey farsh par bikhrey pade they. wo dheere dheere apne saare kapdey pehanti hain aur ladhkhate hue kadmon se apne ghar ki taraf chal deti hain. uska jee to kar raha tha ki wo kahin jakar apni jaan de de. udher uske pitaji shivdayal aur uske bhaiya sanjay apni gadi lekar divya ko khojney nikal padta hain unke dil mein bhi durr baith gaya tha ki kya baat hain divya abhi tak tution se nahin aayi. raat ke kareeb 8 baje divya pane ghar pahuncthi hai.
pehle to uski himmat nahin hoti ki wo apne darwaze par dastak de. magar fir wo apna darwaza khatkhati hain aur jhat se uski mummy darwaza kholti hain aur samne divya ko dekhkar uska chehra khil uthatha hain magar agle hi pal jab apni beti ki halat dekthi hain to uska dil dehal uthatha hain. divya jhat se apni mummy ke seenay se lipat jati hain aur foot foot kar roney lagti hain. divya ko aise rota dekhkar sushma ki bhi aankhein bhar aati hai.
sushma- bittu kya hua aur ye teri aisi haalat kisney ki. aur tu aab tak itani deer tak kahan thi. ghar mein sab log tere liye pareshan hain.
divya kuch bol nahin. aur bus roye jaa rahi thi. uski aankhon se aansoon nahi tham rahe they.
sushma- bata na bittu mera dil baitha ja raha hain. kya hua tere saath sab theek to hain naa..
divya- sab khatam ho gaya mummy. aapki bittu kisi ko mooh dikhane ke layak nahin rahi. aaj us aslam ne mujhe ganda kar diya. aaj usney meri izzat ki dhajiyyan udda di. main jeena nahin chahti. main aab kisi ko apna mooh dikhana nahin chahti.
sushma jab divya ki baatein sunti hain to uske pawn tale jameen khisak jati hain. usey to lagta hain ki kisi ne uske jism se poora khoon nichod liya ho. wo bhi murti ki tarah divya ko dekhte rehti hain. tabhi uske bhaiya aur papa bhi aa jate hain aur jab unki nazar divya par padti hain to undono ke bhi hosh udd jate hain.
sanjay- kisney kiya ye teri halat. bata kaun hain wo haramzyada. main usey jaan se maar dunga.
shivdayal- bol beta kisney kiya tere saath ye ganda kaam. hum chup nahin baithenge us kamine ko hum saza jaroor dilwayege.
sushma- bus karo!!!! aur aab yehi bach gaya hain meri beti ko tamasha banne ka. humein kisi se koi shikayat nahin hain. main apni beti ki izzat samaz mein nahin uchalna chati. arey usko to do teen saal ke liye saza ho jayega ya fir paisey ke bal par wo jail se choot jayega magar fir kya hoga meri beti ka. kaun shadi karega issey. aur kitno ko jawab deti firegi ki iskey saath kya hua tha. pehle bhi tum log ki zidd ki wazah se main chup thi. chale they burai se ladney ke liya. agar usi din meri baat maan lete to aaj ye naubaat nahin aati. main aab meri baeti ko aur tamasha nahin banana chahti.
sanjay- maa please aap rona band karo. aise chup baithney se koi samaysya ka samadhaan nahin hota. aap chahe mera saath de ya naa de mujhe koi fark nahin padta main apni behan ko aise jeete jee murta hua nahin dekh sakta. chahe kuch bhi ho main us kamine ko saza jaroor dilwaunga.
shivdayal- haan sushma aise jajbati hone se kuch nahin hoga hum police se madad lenge. agar police humari mudad nahin karti to hum court mein jayenge. agar humari wahan bhi sunwayi nahi hogi to hum high court aur fir supreme court tak jayenga. magar aise chup nahin baithenge.
sushma- haan puri duniya ko bhi to pata lagna chahiye ki meri beti ke saath kya hua tha. aapko andazaa bhi hain vakil log issey kitnai gandi gandi sawal poochengey. ye to jite ji murr jayegi . nahin chahiye humein insaaf.
sanjay- maa aab chup ho jawo aur divya ko ander lejar iska malham paati karo. main kal subeh apne vakil ke paas jawonga aur us kamine ko iski kiye ki saza dilwaunga........................................
Subeh sanjay apne papa ke saath police station jata hain aur wahan ke inspector ko saari baat batata hain. inspector to pehle inkaar kar deta hain fir kuch sochkar wo FIR likhta hain. inspector fir kehta hain jakar apni behan ka medical test karwalo aur uska report yahan jama karo. main koshish karungi ki wo jail ke salakhon ke peechay ho.
divya jakar medical test karwati hain aur fir police apni verification shuru kar deti hain. result +ve aata hain. dusare din police aslam ke ghar pahunch jati hain usey arrest karney ke liye.
police uske ghar par dastak deti hain darwaza aslam ki ammi kholti hain aur samney police walon ko dekhkar wo chaunk jati hain.
policewala- aslam ghar par hain. mere paas uske khilaaf arrest waarant hain. aache se ghar ki talashi lo dekho wo yahin kahin hoga. fir policewale aslam ke ghar ki talashi lena shuru kar dete hain aur aslam unhein ghar par hi milta hain apne abba ke saath.
sulemaan- ye kya tarika hain inspector saheb. is baar aslam ne kya kiya hain.
policewala- pooch le apne hi bete se. is baar to isney lamba haath mara hain. ek masoom ladki ki zindagi barbaad ki hain isney. rape kiya hain us masoom ke saath. chal aab dhara 356 lagunga poore 7 saal jail mein sadega aur koi jamanat bhi nahin hogi.
ye sab sunkar sulemaan ke hosh udd jate hain. wo to aab tak aslam ki gundagardi se waakif tha par aslam aisa jurm karega wo kabhi sapne mein nahin socha tha. -- ye jo inspector saheb keh rahe hain kya wo sach hain. main tere mooh se sunana chahta hoon. sulemaan aslam ko kha jane wali nazreion se dekhkar bola.
aslam kuch kehta nahin aur chup chaap apna sir neechay jhuka deta hain. sulemaan bhi sab samajh jata hain aur ek zordaar thappad asalm ke gal par jad deta hain.
sulemaan- tu itana neechay gir jayega ki tu kisi masoom ladki ka zindagi se khelega sach mein tere jaise aulaad se be-aulaad hona behtaar hain. aaj ke baad samajh lena ki hum sab tere liye murr gaye hain. aab mera bus ek hi aulaad hain aur wo hai salim. tu mere liye murr chuka hain. le jawo inspector aur is kaminey ko jitni kadi se kadi saza de sakte ho do. aakhir isey bhi to pata chalna chahiye ki kisi ki zindagi barbaad karne ka kya saza milta hain.
fir police aslam ko arrest karke thane le jati hain aur usey jail mein dal deti hain.
sulemaan- humare pyaar mein hi khot tha rukhshana. kya kya sapne dekhe they humnein aur aaj ye sab kya ho gaya. tum hi na kehti thi ki aslam sudher jayega. wo aab kabhi nahin sudher sakta. aur main aab uski koi madad bhi nahin karne wala.
rukshana- main hi galat thi. mujhe vishwaas tha ki aslam ek din sudher jayega magar main apne mamta ke aage jhuk gayi thi. kitne sapne dekhe the maine uske liye par sab usney pani fer diya. rukshana ke aankhon mein aansoon aa jata hain .
udher jail mein aslam ko band kar diya jata hain aur ye khabar divya ke ghar bhejwa di jati hain ki asalm giraftaar ho gaya hain. aslam ko dekhney ke liye sanjay aur shivdayal fauran hi apne ghar se nikal padtey hain. sanjay ka to jee kar raha tha ki wo uska gala daba de. aakhir uski masoom behan ki zindagi us kamine aslam ne hi barbaad ki thi. kitni khush rehne wali uski bittu aaj uske samney dukh ka pahad khada ho gaya tha. jo kabhi bhi kisi baat par thodi bhi mayoos nahin hoti thi aaj uske naseeb mein jindagi bhar ka rona tha.
sanjay to ye bhi nahin janta tha ki ye wahi aslam hai jiski usney ek din jaan bachayi thi. usey nahin maloom tha ki uski jaan bachane ki usko itani badi keemat chukani padegi. dil mein hazaar sawal liye wo apne car mein jail ki taraf badh raha tha pata nahin aane wala kuch palon mein jab sanjay ka saamna us aslam ke saath hoga to dono ke dil par kya beetaney wali thi iska andaaza bhi laga pana mushkil tha. ye to aab waqt hi batane wala tha ki faisla kiske haq mein jata hain aslam ke ya divya ke.....................................
Sanjay isi udherbun mein apni car ko tezi se jail ki taraf dauda raha tha. thode deer mein wo jail ke bahar apni car ko rokta hain. fir tezi se apne kadmon ko badhate hue wo jail ke ander aslam se milney ke liye nikal padta hain. wo jakar thanedaar se milta hain aur aslam se milney ki permission mangta hain. thanedaar usey milney ki permission de deta hain.
sanjay wahi bench par apne papa ke saath baith kar aslam ka dhadktey dil se intezaar kar raha tha. aaj uske dil mein aslam ke liye sirf nafrat thi. thode deer mein aslam uske samney aata hain aur jaise hi sanjay ki nazar uspar padti hain sanjay ke pawn tale jameen khisak jati hain. usey bilkul bhi vishwaas nahi hota ki uske samney jo shakhsh khada hain wo hi uske behan ka rapist hai.
udher aslam ki bhi nazar jab sanjay par padti hain to wo bhi chauk jata hain. aur apni garden neechay jhuka leta hain..
sanjay uske paas aata hain- waah............. to tum wahi aslam khan ho jiski jaan maine us din bachayi thi. kya ehsaan chukaya hain tumne mujh par apni jaan bachane ka. agar mujhe pata hota ki tu mere ehsaan ka badla meri behan ki zindagi barbaad karke chukayega to us din main tujhe wahin beech sadak par murr jane diya hota. tere jaise log ke ander to insaaniyat naam ki cheez hain hi nahin.
shivdayal bade gaur se sanjay ki baatein sun raha tha. wo bhi samajh jata hain ki ye wahi banda hain jiski jaan us din sanjay ne bachayi thi.
sanjay- kya main pooch sakta hoon ki meri masoom behan ne tera kya bigada tha. aakhir teri kya mazboori thi ki tujhe uske saath itna ghinuana khe khelna pada. kyon kiya tune aisa. mujhe jawab de.............
aslam bus kuch keh nahin pata aur apne dono haath sanjay ke samne jod leta hain.
sanjay- jee to kar raha hain ki main tera aabhi isi waqt jaan le loon. ghinn aati hain mujhe tum jaise rakshash par. tu insaan nahin...... darinda hain.....darinda. aur sanjay ke aankhon se aansoon nikal padtey hain...
shivdayal- dil chota mat kar beta. aise dil chota karne se kuch nahin hoga. main vakil se baat karke is kamine ko sakht se sakht saza dilwaunga.
sanjay- papa meri hi galti thi. main hi haiwaon ke beech insaaniyat ki talash kar raha tha. shayad bhagwaan ne meri isi galti ki saza mujhe di hain. aab to mera insaaniyat par se bhi bharosa uth gaya. aur sanajy wahi rone lagta hain....
aslam- sanjay main hi tumhara gunehgaar hoon. tum jo saza doge mujhe sab manzoor hoga. vishwaas karo mera mujhe sach mein nahin pata tha ki wo ladki tumhari behan hain. agar mujhe ye baat maloom hoti to main uske saath aisa kabhi na karta. main apne gunaah kabool karta hoon. mujhe kisi se koi shikayat nahin hain..
sanjay aslam ka collar pakad leta hain- kamina kahin ka aab kish vishwaas ki baat karta hain. tere jaise log to thook kar chatney wale mein se hain. main tujhe iski kiye ki saza dilwaunga.
aslam- tum jo mujhe kehna chahte ho keh lo. main tumhara gunehgaar hoon. aur waise bhi kal tak mera koi apna bhi tha jo mere liye aansoon bhi bahaye. aaj wo log bhi mere saath chodh chukey hain.
sanjay- tu kisi ka hai jo tera koi apna hoga. tu to sach mein ek gandi naali ka keeda hain. gali dene ke layak hain tu... aab baat hadd se aage badh rahi thi tabhi wahan hawaldaar sanjay ko bahar haath pakad kar le jata hain.
shivdayal- beta chalo yahan se is waqt tum bahut gussey mein ho. aur shivdayal sanjay ka haath pakad kar usey jail se bahar le jata hain aur thodi deer ke baad wo apne ghar par aa jata hain.
aslam ne aaj tak jitne bhi gunaah kiya they usey kisi bhi baat ka koi pachtawa nahin tha.magar aaj sanjay ki baaton ne uski ander ki aatma ko jhakjood diya tha. aaj sanjay ne usey itana kuch keh diya tha agar dusara koi hota to aslam uska haath pair aab tak tod chuka hota. magar aaj uske ander ki aatma shayad jaag uthi thi. wo bhi aaj apne aap ko doshi maan raha tha...
Do din baad aslam ko court mein laya jata hain jahan uska faisal hona baki tha. wahan par divya bhi aati hain apne insaaf pane ke liye. divya aana to nahin chahti thi magar sanjay aur apne parivaar ki wajah se wo adalat mein maujood thi. udher aslam ke abbu sulemaan , aami rukshana aur bhai salim. aur uska dost kabir bhi adalaat mein maujood rehte hain. wahin dusari taraf shivdayal, sushma, aur sanjay aur kareeb ke kai ristedaar bhi wahan par upastith rehte hain.
divya ke taraf se vakil apni karwahi shuru karta hain aur saari dalitey pesh karta hain. wo saara subut judge ke samne pesh karta hain aur uski medical report bhi. wahin uske opposite wala wakil bus khamosh hokar chup chaap tamasha dekhta hain. shayad is baar sulemaan ne usey paise nahin diye they. is wajah se wo bhi jyada kuch bolta nahin. karyawahi kaafi deer tak chalti hain aur sare faisley divya ke hak mein jate hain. aab adalat ka faisla hona baaki tha ki adaalat asalm ko kya saza sunati hai. aur us faisley se divya ko insaaf milta hain ki nahin ye to aane wala waqt hi batane wala tha........................................